MERE RASHK E QAMAR LYRICS
Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
Jab Nazar Se Milaayi Maza Aa gaya
Barq Si Gir Gayi Kaam Hee Kar Gayi
Aag Aisee Lagaayi Maza Aa gaya
Jaam Mein Ghoul Kar Husan Ke Mastiyan
Chaandni Muskurai Maza Aa gaya
Chaand Ke Sa'ay Mein Ay Mere Saaqiya
Tu Ne Aisee Pilaayi Maza Aa gaya
Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
Bazm Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga
Maikade Pe Barasne Lagi Mastiyaan
Jab Ghata Gir Ke Chaayi Maza Aagaya
Be Hijabaana Woh Saamne Aa gaye
Aur Jawaani Jawaani Se Takra Gayi
Aankh Unki Laree Yoon Meri Aankh Se
Daikh Kar Ye Laraai Maza Aa gaya
Aankh Mein Thee Haya Her Mulaqaat Par
Surkh Aariz Hu'ay Wasal Ki Baat Par
Us Ne Sharma Ke Mere Sawaalat Pe
Aise Gardan Jhukaayi Maza Aagaya
Shaikh Sahib Ka Imaan Bik He Gaya
Daikh Kar Husan E Saqi Pigal He Gaya
2
Aaj Se Pehle Ye Kitne Maghroor The
Lut Gayi Parsaayi Maza Aa gaya
Ay Fana Shukar Hai Aaj Baad E Fana
Us Ne Rakh Le Mere Pyaar Kee Aabro
Apne Haathon Se Usne Meri Qabar Par
Chaadar E Gul Charhaayi Maza Aagaya
Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
Jab Nazar Se Milaayi Maza Aa gaya.
DARD DILON KE KAM HO JAATE LYRICS
Dard dilon ke kam ho jaate
Main aur Tum agar hum ho jaate
Main aur Tum agar hum ho jaate
Kitne haseen aalam ho jaate
Main aur Tum gar Hum ho jate
Main aur Tum gar Hum ho jate
Dard dilo ke kam ho jaate
Main aur Tum gar hum ho jaate
Main aur Tum gar hum ho jaate
Kitne haseen aalam ho jaate
Main aur Tum gar Hum ho jaate
Main aur Tum gar Hum ho jaate
Tere bina na aaye sukoon
Naa aaye qaraar mujhe
Door wo saare bharam ho jaate
Main aur Tum gar Hum ho jate
Main aur Tum gar Hum ho jate
Ishq adhoora duniya dhoori
Khwahish meri kardo na poori
Dil toh yehi chaahe
Tera aur Mera ho jaaye muqammal ye afsaana
Har mushqil aasaan ho jaati
Main aur Tum gar Hum ho jate
Kitne haseen aalam ho jaate
Main aur Tum gar Hum ho jaate
Main aur Tum gar Hum ho jaate
Baaqi nahi kuch par dil na maane
Dil ki baate dil hi jaane
Hum dono kahin pe mil jaayenge ik din
Inn ummeedon pe hi main hoon zinda
Har manzil haasil ho jaati
Main aur Tum gar Hum ho jate
Kitne haseen aalam ho jaate
Main aur Tum gar Hum ho jaate
Main aur Tum gar Hum ho jaate
Dard dilon ke kam ho jaate
Main aur Tum gar hum ho jaate
Main aur Tum gar hum ho jaate
"HAWAYEIN"
Tujhko… main rakh loon wahaan
Jahaan pe kahin
Hai mera yaqeen
Main jo… tera naa huaa
Kisi ka nahin…
Kisi ka nahin..
Le jaayein jaane kahaan
Hawayein, hawayein…
Le jaayein tujhe kahaan
Hawayein, hawayein…
Begaani hai yeh baaghi
Hawayein, hawayein
Le jaaye mujhe kahan
Hawayein, hawayein
Le jaayein jaane kahaan, na mujhko khabar
Na tujhko pataa…
O…
Banaati hai jo tu…
Woh yaadein jaane sang mere kab tak chale
Inhi mein to meri…
Subah bhi dhalein
Shamein dhalein
Mausam dhalein
Khayalon ka shehar…
Tu jaane tere hone se hi aabaad hai
Hawayein haq mein…
Wohi hai aate jaate jo tera naam le
Deti hain jo sadayein
Hawayein, hawayein
Na jaane kya batayein
Hawayein, hawayein
Le jaaye tujhe kahaan
hawayein, hawayein
Le jaaye mujhe kahaan
Hawayein, hawayein
Le jaayein jaane kahaan, na mujhko khabar
Naa tujhko pataa…
O…
Chehra.. kyun milta tera
Yun khwabon se mere
Ye kya raaz hai?
Kal bhi.. meri na thi tu
Naa hogi tu Kal
Meri aaj hai
Teri hai meri, saari wafayein wafayein
Maangi hai tere liye duaayein duaayein
Le jaaye tujhe kahaan.. hawayein, hawayein
Le jaaye mujhe kahaan.. hawayein, hawayein
Le jaaye jaane kahaan (hawayein hawayein)
Le jaaye tujhe kahaan (hawayein hawayein)
Le jaaye jaane kahaan (hawayein hawayein)
Le jaaye tujhe kahaan (hawayein hawayein)
Le jaaye jaane kahaan (hawayein hawayein)
Le jaaye mujhe kahaan (hawayein hawayein)
Le jaaye jaane kahaan (hawayein hawayein)
Le jaaye mujhe kahaan (hawayein hawayein)
O…
"PHIR BHI TUMKO CHAHUNGA"
Tum mere ho iss pal mere ho
Kal shayad yeh aalam na rahe
Kuch aisa ho tum tum na raho
Kuch aisa ho hum, hum na rahein…
Yeh raaste alag ho jaaye
Chalte chalte hum kho jaayein…
Main phir bhi tumko chahunga…
Main phir bhi tumko chahunga…
Main phir bhi tumko chahunga…
Main phir bhi tumko chahunga…
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Meri jaan mein har khamoshi mein
Tere pyaar ke naghme gaaunga
Mmm…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Aise zaroori ho mujhko tum
Jaise hawayein saanson ko
Aise talashun main tumko
Jaise ki per zameeno ko
Hansna ya rona ho mujhe
Paagal sa dhoondu main tumhe
Kal mujhse mohabbat ho na ho
Kal mujhko ijazat ho na ho
Toote dil ke tukde lekar
Tere darr pe hi reh jaaunga
Mmm…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Tum yun mile ho jabse mujhe
Aur sunehari main lagti hoon
Sirf labon se nahi ab toh
Poore badan se hansti hoon
Mere din raat salone se
Sab hai tere hi hone se
Yeh saath hamesha hoga nahin
Tum aur kahin main aur kahin
Lekin jab yaad karoge tum
Main banke hawaa aa jaaunga
O…
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Iss chahat mein marr jaunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
Main phir bhi tumko chahunga
DIL KA DARIYA BEH HI GAYA
Dil ka dariya beh hi gaya
Ishq ibadat ban hi gaya
Khud ko mujhe tu saonp de
Meri jaroorat tu ban gaya
Baat dil ki nazron ne ki
Sach keh raha teri kasham
Tere bin aab na lenge ek bhi dum
Tujhe kitna chahne lage hum
Tere bin aab na lenge ek bhi dum
Tujhe kitna chahne lage hum
Tere saath ho jaayenge khatam
Tujhe kitna chahne lage hum
Baat dil ki nazron ne ki
Sach keh raha teri kasham
Tere bin ab na lenge ek bhi dum
Tujhe kitna chahne lage hum
Tere saath ho jaayenge kadam
Tujhe kitna chahne lage hum
Tujhe kitna chahne lage hum.
Iss Jagah Aa Gaye Chahtein Ab Meri
Chheen Lunga Tumhe Saari Duniya Se Hi
Tere Ishq Pe Haan Haq Mera Hi To Hai
Keh Diya Hai Ye Maine Mere Rab Se Bhi
Jis Rashte Tu Na Mile
Uspe Na Ho Mere Kadam
Tere Bin Ab Na Lenge Ek Bhi Dum
Tujhe Kitna Chaahne Lage Ham
Tere Sath Ho Jayenge Khatam
Tujhe Kitna Chaahne Lage Hum
Tujhe Kitna Chahne Lage Hum
Oh Ho O, Oh Ho O......Ho Ho
Tujhe Kitna Chaahne Lage Hum