Badmazhabo Se Rishte (Roman Urdu)
Badmazhabo Se Rishte (Roman Urdu)
SE RISHTE
WRITER
ALLAMA MUFTI JALALUDDIN AHMAD AMJADI
RAHIMAHULLAHU TA’ALA
ROMAN URDU
Haleema Sadiya Razviya
Member: Mission Qadri Welfare Society
BADMAZHABO
SE RISHTE
WRITER
ALLAMA MUFTI JALALUDDIN AHMAD AMJADI
RAHIMAHULLAHU TA’ALA
ROMAN URDU
Haleema Sadiya Razviya
Member: Mission Qadri Welfare Society
Badmazhabo Se Rishte
Title : Badmazhabo Se Rishte
Az Qalam : Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi
Language : Roman Urdu
Topic : Aqaid
Composing : Abde Mustafa Official
Transliteration : Halima Sadiya Razviya
(Member Of Mission Qadri Welare Society)
Published By : Sabiya Virtual Publication
Year Of Publishing : January 2022 (Jumadi Al Ukhra
1443 Hijri)
Pages :59
1
Badmazhabo Se Rishte
2
Badmazhabo Se Rishte
MAUDOODI JAM’AT ............................................ 34
SULLEH KULLI ...................................................... 39
Allah Ki Lanat .......................................................... 40
HUZOOR KE RASTE PAR NAHI ......................... 41
SABSE KAMZOR IMAAN WALA........................ 43
BURAYI NA ROKNE PAR AZAAB ..................... 44
TARAH TARAH KE FAREB(DHOKE) ................ 48
3
Badmazhabo Se Rishte
PAHLI NAZAR
Aaj Kal bahot Se Gumrah-O- Badmazhab Ahle Sunnat-
Wa- Jama’at Se Mel- Jhol Karke Unke Yaha Shaadi Biyah
Karne Ki Zyada Se Zyada Koshish Karte Hain, Taaki Unko
Aasani Ke Saath Apne Jaisa Aqeeda Wala Bana Saken Aur
Awaam-e- Ahle Sunnat Apni Bewaqoofi Se Unke Yahan
Rishta Kar Lete Hain Aur Is Tarha Thode Hi Dino Mein Wo
Gumrah-O- Badmazhab Hokar Allah-O- Rasool Aur Sahaba-
O- Buzurgane Deen Ki Bargaah Ke Gustaakh-O- Be-Adab Ho
Jaate Hain Lihaza Gumraho, Badmazhabo, Aur Murtado Ke
Saath Uthne Baithne Aur Unke Yahan Shadi Biyah Karne Ke
Baare Mein Qura’an-O- Hadees Ka Hukm Ahle Sunnat-Wa-
Jam’at Ko Bataane Ke Liye Yeh Kitaab Likh Di Taaki Woh
Unse Door Rahe Aur Unke Yahan Biyah Karke Apne Imaan
Ko Khatreh Mein Na Daalein , Du’a Hai Ki Khuda-e-
Ta’ala Ahle- Sunnat-Wa- Jam’at Ko Iss Kitaab Se Sahi Raasta
Dikhaye Aur Unko Ambiyaa Sahabaa Aur Buzurgane Deen Ke
Dushmano Se Har Tarha Door Rahne Ki Taufeeq Bakhshe
AMEEN!!!
4
Badmazhabo Se Rishte
6
Badmazhabo Se Rishte
Ko Dekho To Uss Ke Saamne Gussa Zaahir Karo
Issliye Ki Khuda-e- Ta’ala Har Badmazhab Ko
Dushman Rakhtaa Hai.(Ibn-e-Asaakir)
2. Hazrath Huzaifa Radiallahu Ta’ala Anhu Se
Riwayat Hai Ke Rasool-e- Aqdas Sallalahu Ta’ala
Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ki Khuda-e-
Ta’ala Kisi Badmazhab Ka Na Roza Qubool Karta Hai
Na Namaz Na Zakaat Na Hajj Na Umraah Na
Jihaad Aur Na Koi Nafl Na Farz Badmazhab Deen-e-
Islam Se Aisa Nikal Jata Hai Jaise Ki Gundhe Hue
Aate Se Baal Nikal Jaata Hai.(Ibn-e-Maaja)
3. Hazrath Abu Umamah Radi Allahu Ta’ala
Anhu Se Riwayat Hai Ki Sarkar-e- Aqdas Sallalahu
Ta’ala Alaihi Wa Sallam Ne Farmaya Ki Badmazhab
Dozakh Walon Ke Kutte Hai (Daar Kutani)
4. Hazrath Ibrahim Ibn Maisrah Radi Allahu
Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-e-Kareem
Alaihi Salat-O- Taslim Ne Farmaya Jisne Kisi
Badmazhab Ki Izzat Ki To Us Ne Islaam Ke Dhane
Par Madad Ki.(Mishkaat Shariff) Badmazhab Ki
Izzat Karne Se Islaam Ke Dhane Par Madad Kaise Ho
Jayegi Is Suwal Ka Jawaab Dete Hue Hazrat
Shaikh Abdullah Haq Muhaddis Dehlvi Bukhari
7
Badmazhabo Se Rishte
Alaihir Rahmatu Wa Rizwaan Tahreer Farmate
Hain Ki Badmazhab Ki Izzat Karne Mein Sunnat Ki
Tauheen Aur Uski Be- Izzati Hai Aur Sunnat Ki
Tauheen Islaam Ki Buniyaad Dhane Tak Pahuncha
Deti Hai. (Ashuatullamaat Jild no.1 Safa 148)
5. Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Ta’ala
Anhu Se Riwayat Hai Ki Rahmate Aalam Sallahu
Ta’ala Alaihi Wa Sallam Ne Hukm Farmaaya
Badmazhab Agar Bimaar Pade To Unke Dekhne
Na Jao. Agar Marjaye To Unke Janaazah Mein
Shareek Na Ho Unse Bhent Ho To Unse Salaam
Na Karo Unke Paas Na Baitho Unke Saath Paani Na
Piyo. Un Ke Saath Khana Na Khaao. Unke Saath
Shaadi Biyah Na Karo. Unke Janazah Ki Namaz
Na Padho.
Note: Ya Hadees Muslim, Abu Dawood, Ibn Maaja,
Ukaili Aur Ibne Habban Ki Riwayato Ka Majmuaa
Hai.
HADEESON KA KHULASA
In Tamaam Hadeeson Ka Khulasa Yah Hua Ki
Saare Musalmaano Mein Badmazhab Sab Se Zyada
8
Badmazhabo Se Rishte
Bure Hai, Unse Ache Tareeka Par Pesh Aana
Jayaz Nahi Ki Khuda-e- Ta’ala Unko Dushman Rakhta
Hai Aur Unki Koi Ibadat Nahi Qubool Farmata Hai
Chahe Farz Ho Ya Nafl. Woh Jahannamiyo Ke
Kutte Hai. Un Ki Izzat Karna Mazhab-e- Islaam Ke
Dhane Par Madad Karnaa Hai. Inka Har Tarha Se
Islaami Boycott Kiya Jayega. Yaani Un Se Isi Qism Ka
Mazhabi Talluk Rakhna Jayaz Nahi. Unse Salam
Karna Aur Unke Saath Uthna Baithna Aur
Khana Pina Jayaz Nahi Aur Unke Yahan Shaadi Biyah
Karna Jayaz Nahi.
Sarkaar-e- Aqdas Sallalahu Ta’ala Alaihi Wa
Sallam Ke Yeh Tamam Hukm Un Logon Ke Baare
Mai Ki Jo Badmazhab To Hai Magar Unki
Badmazhabi Kufr Ki Had Ko Nahi Pahochi Hai Rahe
Woh Log Jo Ki Murtad Hai To Unke Baare Me
Shariat-e- Islaamiya Ka Hukm Bahot Sakht Hai.
MURTAD KA HUKM
Woh Murtad Ki Jo Khullam-Khulla Islaam Se
Phir Gaya Aur Laa Ilaha illallah Ka Inkaar Kar Diya,
Us Ke Baare Mein Hukm Yeh Hai Ki Islaam Ka
9
Badmazhabo Se Rishte
Hakim Use Teen ( 3 ) Din Qaid Me Rakhe Fir Agar
Woh Taubah Karke Musalmaan Ho Jaye To Behtar
Warna Use Qatal Kar De (Durre Mukhtaar Ma'a
Shamee Jild 3 Safa 276) Aur Woh LogJo Ki Apne Aap
Ko Musalmaan Hi Kahte Hai Aur Hamari Tarha
Namaz-O- Rozah Bhi Karte Hain Magar Allah Ke
Mehboob Pyare Mustafa Sallalahu Ta’ala Alahi Wa
Sallam K Ya Kisi Dusre Nabi Ki Tauheen Karke
Murtad Ho Gaye To Woh Chahe Sunni Bareilvi Kahe
Jate Ho Ya Wahabi Deobandi Badshah-e- Islaam
Unki Taubah Nahi Qubool Karega.Yani Unhe Qatl Kar
Dega
Faqeeh-e- Aazam-e- Hind Mursheedi Hazrath
Sadrushariya Rahmatullah Alaihi Tahreer Farmate
Hain. Murtad Agar- Irtidad Se Taubah Karle To Uski
Taubah Maqbool Hai Magar Kuch Murtadeen Jaise
Kisi Nabi Ki Shaan Mein Gustakhi Krne Wala Ki Uski
Taubaah Maqbool Nahi Taubaah Qubul Karne Se
Murad Ye Hai Ki Taubaah Karne Ke Baad Badshah-e-
Islaam Use Qatl Na Karega.(Bahare Shariat Jild 9
Safaa 128) Lekin Nabi Ke Gustakh Ko Qatl Karna
Chunki Baadshaah-e- Islaam Ka Kaam Hai Aur Yeh
Hamare Yahan Nahi Ho Sakta To Ab Maujoodah Surat
10
Badmazhabo Se Rishte
Mein Musalmaano Par Yeh Lazim Hai Ki Aise Logon
Ka Mazhabi Boycott Karein Unka Zabeeha Na
Khayein Un Ke Yahan Shadi Biyah Na Karein Unki
Namaz Janazah Na Padhe Aur Na Musalmanon Ke
Qabrastan Mein Unhein Dafan Hone De.
ACCHI AADAT
Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool Sallalahu Ta’ala
Alaihi Wa Sallam Ke Dushmano Badmazhabon Aur
Murtadhon Ka Mazhabi Boycott Karna Unse Door
Rahna, Unke Yahan Shadi Biyah Na Karna Aur Unke
Saath Sakhti Se Pesh Aana Bad Akhlaaki Kahi Hai
Balki Achi Aadaton Me Se Hai Ki Allah Ta’ala Aur Us
Ke Pyaare Mustafa Sallalahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam
Ne Humko Yahi Hukm Farmaya Hai. Aur HamarE
Buzurgon Ne Hum Ko Yahi Sabaq Diya Hai Ki
Badmazhabon Aur Murtado Se Door Raho Unke
Yahan Rishta Naata Karna To Badi Baat Hai Unke
Saath Uthna Baithna Bhi Pasand Na Karo. Allah
Ta’ala Farmaata Hai Aur Agar Shaitaan Tum Ko
Bhoola De To Yaad Aane Ke Baad Zaalim Qaum
Ke Paas Na Baitho. (Para Ruku 14)
11
Badmazhabo Se Rishte
Aur Allah Ta’ala Farmata Hai Aur Zalimon
Ki Taraf Na Jhuko Ki Tumhein Jahannam Ki Aag
Chhuegi. (Paara 21 Ruku 10)
Aur Badmazhabon Ke Baare Mein Acchi Aadat
Sikhane Waale Nabi Sallalahu Ta’ala Alaihi Wa
Sallam Ki Paanch Hadeesein Aap Pahle Padh Chuke
Hain. Iss Jagah Par Muslim Sharif Ki Ek Hadees Aur
Padhein. Sarkaar-e- Aqdas Sallahu Alaihi Wa Sallam
Ne Farmaya. Unse Door Raho Aur Unhein Apne Se
Door Rakho Kahin Woh Tumhein Gumrah Na Kar De
Kahin Woh Tumhein Fitna Mein Na Daal De Aur
Imaam-e- Rabbani Mujaddeed-e- Alfe Saani Hazrath
Shaikh Ahmed Sarhindi Rahmatullah Alaihi Likhte
Hain : “Allah Ta’ala Ne Apne Habeeb Sallalahu Ta’ala
Alaihi Wa Salam Se Farmaya Ki Kufr Walon Par Skhti
Karo”. To Rasool-e- Khudaa Sallalahu Ta’ala Alaihi
Wa Sallam Jo Ki Acchi Aadat Wale Hain. Unko Sakhi
Karne Ke Hukm Farmane Se Maloom Hua Ki Kufr
Walon Ke Saath Sakhti Se Pesh Aana Acchi Aadat
Mein Daakhil Hai. Khuda Ke Dushmanon Ko Kutte Ki
Tarha Dur Rakhaa Jaye. Unke Saath Dosti Wa
Mohabbat Allah Aur Us Ke Rasool Sallalahu Ta’ala
Alaihi Wasallam Ki Dushmani Tak Pahuncha Deti
12
Badmazhabo Se Rishte
Hai.(Kalma-O- Namaz Ke Sabab) Aadmi Samjhta Hai
Ki Woh Musalmaan Hai Allah Aur Rasool Par Imaan
Rakhta Hai (Isliye Unse Dosti Aur Rishta Karta
Hai) Lekin Woh Yeh Nahi Jaanta Ki Iss Tarha Ki
Behuda Harkatein Uske Islaam Ko Barbaad Kar
Deti Hai.(Maktoob no.163)
Aur Aala Hazrath Imaam Ahmed Raza Bareilvi
Rahmatullahi Ta’ala Alaihi Farmate Hain ki“ Ameerul
Momineen Umar Farooq-e- Azam RadiAllahu Ta’ala
Anhu Ne Masjid-e- Aqdas Nabi Sallalahu Ta’ala
Alaihi Wa salam Me Namaz-e-Maghrib Ke Baad Kisi
Musafir Ko Bhooka Paaya. Apne Saath Kaashana-e-
Khilafat Me Le Aaye Uske Liye Khana Mangaya Jab
Woh Khana Khane Baitha Koi Baat Badmazhabi Ki
Usse Zahir Hui Fauran Hukm Hua Khana Utha Liya
Jaye Aur Ise Bhar Nikaal Diya Jaye Samne Se
Khana Uthwa Liya Aur Use Nikalwaa
Diya.(Aalmalfooz Jild 1 Safa No.94) Badmazhabon
Aur Murtadon Se Door Rahne Aur Un Ko Apne Se
Door Rakhne Ka Hukm Isliye Hai Ki Un Se Meljhol
Rakhne Aur Unke Paas Uthne Baithne Se Kafir
Ho Kar Marne Khatra Hai. Fatawa Razviya Daswa
Hissa Safa 575 Mein Hai Ki Imaam Jalaluddin Siyuti
13
Badmazhabo Se Rishte
Rahatullahi Ta’ala Alaihi Sharhussudur Mein Farmate
Hai Ki Ek Shaks Rafziyon (Shio) Ke Paas Baitha
Karta Tha. Uske Marte Waqt Logon Ne Use Kalma-e-
Tayyibah Ki Talqeen Ki Uss Ne Kaha Nahi Kaha Jata.
Poocha Kiyun Kahaa Yeh Do (2) Shakhs Khade Hain.
Yeh Kahte Hain Tu Unke Paas Baitha Karta Tha Jo
Abu Bakr -e- Umar Radi Allahu Ta’ala Anhuma Ko
Buraa Kahte The Ab Chahta Hain Kalmah Padh Kar
Uthe Ne Padhne Denge Jab Siddiq-e- Akbar-Wa-
Farooq-e- Azam Radi Allahu Ta’ala Anhuma Ko Bura
Kahne Walon Ke Paas Baithne Walon Ki Yeh Haalat
Hai To Jo Log Allah Ta’ala Aur Rasoolallah Sallalahu
Ta’ala Alaihi Wasallam Ko Buraa Kahte Hai Unki
Shaan Ghatate Hain Aur Unhe Tarha Tarha Ke Aib
Lagaate Hain Unke Paas Baithne Walon Ko Kalmah
Naseeb Hona Aur Bhi Katheen Hai. Aur Jab Aise
Logon Ke Paas Baithne Walon Ko Kalmah Naseeb
Hona Katheen Hai To Jo Log Unke Yahan Shadi Biyah
Karke Dosti Wa Muhabbat Ka Mazboot Qila Banate
Hain,Un ko Kalmah Naseeb Hona Aur Ziyadah
Katheen HainKhuda-e- Ta’ala Aise Logon Ko Imaan
Ki Muhabbat Ataa Farmaye. Ameen
14
Badmazhabo Se Rishte
15
Badmazhabo Se Rishte
Dekhiye Allah Ta’ala Ne Khullam Khulla
Farmaya Ki Woh Log Musalman The Kalmah Padhne
Wale The Aur Namaz-O- Roza Karne Waale The
Magar Huzoor Sayyid-e- Aalam Sallahu Ta’ala Alaihi
Wasallam Ki Shaan Me Be-Adabi Ka Lafz Bolne Se
Sabab Kaafir Ho Gaye Musalman Nahi Reh Gaye Aur
Ibne Abi Shaiba, Ibnul Munazir, Ibne Abi Hatim Aur
Abu Shaikh Hazrat Abdullah Ibne Abbas Radi Allahu
Ta’ala Anhu Ke Shagird Khaas Hazrath Imaam
Mujahid Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte
Hain Ki Sarkar-e- Aqdas Sallalahu Ta’ala Alaihi
Wasallam Ne Ek Shakhs Ki Oontni Jo Gayab Ho Gayi
Thi Uske Baare Me Farmaya Ki Woh Falah Jungle
Me Mai, Us Par Ek Aadmi Ne Kaha Unko Gaib Ki Kya
Khabar? Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne
Uss Aadmi Ko Bula Kar Poocha To Uss Ne Kaha Hum
To Aise Hi Hasi-Mazaq Kar Rahe The. Uspar Yeh
Ayaat Allah Ki Taraf Se Uthri.“Aur Agar Tum Unse
Pucho To Beshak Woh Zaroor Kahenge Ki Hum To
Yun Hi Hasi-Khel Me The Tum Farmado Kya
Allah Uski Ayaton Aur Uss Ke Rasool Se Thattaa
Karte The? Bahane Na Banao Apne Imaan Ke
Baad Tum Kaafir Ho Gaye." (Para 10 Ruku 14)
16
Badmazhabo Se Rishte
Iss Ayaat Mein Bhi Khullam Khulla Farmaya
Gaya Ki Kufr Ka Kalma Zabaan Se Nikaalne Ne
Sabab Momin Hone Ke Baad Kaafir Ho Gaye. Lehaza
Ye Samjhna Bahut Badi Bewakoofi Hai Ki Musalman
Allah-O- Rasool Ki Tauheen Kare To Bhi Woh
Musalmaan Hi Rahega Kaafir Nahi Hoga. Aur Huzoor
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Inteqal
Farmane Par Kuch Logo Ne Kaha Hum Kalma-O-
Namaz Padhenge Aur Sab Kuch Karenge Magar Zakat
Nahi Denge. Yaani Zakaat Ke Farz Hone Ka Aqida Jo
Deen Ki Zaroori Baaton Me Se Hai. Uss Ka Ikaar
Kar Diya To Kalma-O- Namaz Padhna Unhe Kuch
Kaam Na Aaya Aur Woh Murtad Ho Gaye. Jaisa Ki
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi Bukhari
Rahmatullahi Ta’ala Alaihi Ne Likha Muselamaa Ke
Saathi Aur Zakaat Ke Farz Ka Inkaar Karne Wale
Murtad Hue.(Ashiatul Lamaat Jild 1, Page no.76)
Aur Allah Ke Mahboob Sallalahu Ta’ala Alaihi
Wasallam Ki Badayi Ka Aqida Deen Ki Aham Zaroori
Baaton Me Se Hai. Lihazaa Jo Log Huzoor Ki
Tauheen-O- Be-adabi Kar Ke Unki Badaayi Nahi
Maante Hai Woh Zaroor Murtad Hain Kalma Aur
Namaz Unhe Murtad Hone Se Nahi Bacha Sakega.
17
Badmazhabo Se Rishte
Aur Hazrath Abu Sayid Khudri Radi Allahu Ta’ala
Anhu Se Riwayat Hai-. Woh Farmate Hain Ki Hum
Log Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ki
Khidmat Me Haazir The Aur Huzoor Maale Ghanimat
Baant Rahe The Ki Zulkhuwaisraa Naam Ka Ek
Aadmi Jo Kabilaa Bani Tamim Ka Rahne Wala
Tha Aya Aur Kaha- Aye Allah Ke Rasool Insaaf Se
kaam Lo. Huzoor Ne Farmaye Teri Dileri Par Afsoos
Mein Hi Insaaf Nahi Karunga To Aur Kon Insaaf
Karne Wala Hai. Agar Main Insaaf Na Karta To Tu
Ghate Mein Ho Chuka Hota. Hazrat Umar Radi Allahu
Ta’ala Anhu Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah Mujhe Ijazat
Dijiye Ki Mai Iss Ki Gardan Maardun To Huzoor
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ise
Chhod Do Iss Ke Bahut Saathi Hain Jin Ki Namazon
Aur Rozon Ko Dekh Kar Tum Apni Namazon Aur
Rozon Ko Hakir Samjhoge. Woh Qura’an Padhega
Magar Qura’an Unke Halak Se Nahi Uthrega (In
Dekhavati Khoobiyon Ke Bawajood) Woh Deen Se
Aise Nikale Honge Jaise Teer Shikaar Se Nikal Jata
Hai. (Bukhari Sharif Jild safa 509) Aur Hazrath Abu
Sayid Khudri Wa Anas Ibne Maalik Radi Allahu
Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Ki Rasool-e- Khuda
18
Badmazhabo Se Rishte
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Anqarib Meri Ummat Me Ikhtilaaf-O- Iftiraq Paaya
Jayega Ek Giroh Nikale Ga Jo Achhi Baate Karega
Lekin Unka Amal Kharab Hoga. Woh Qura’an
Padhenge Magar Qur’an Unke Halak Ke Neeche Nahi
Uthrega. Woh Deen Se Aise Nikal Jayenge Jaise Teer
Shikaar Se Nikal Jata Hai.(Mishkaat Shai safa 607)
In Hadeeson Se Maloom Hua Ki Huzoor
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Farmane Ke
Mutabiq Bahut Se Log Aise Honge Jinki Namaz Aur
Rozon Ke Samne Musalmaan Apni Namaz Aur Rozon
Ko Haqeer Samjhenge. Woh Log Qur’an Bhi
Padhenge Magar Iske Bawajood Woh Deen Se Nikle
Hue Honge Jab Wo Ahle Sunnat Ya Deen Ki Zaroori
Baton Me Se Kisi Baat Ka In kaar Karenge To
Namaz-O- Rozah Aur Qur’an Ka Padhna Unhe
Badmazhab Aur Murtad Hone Se Nahi Bacha Sakega.
MURTADO SE RISHTE
Allah Ta’ala Aur Uske Rasool Sallalahu Ta’ala
Alaihi Wasallam Aur Auliya-e- Kiraam Wa Buzurgan-
e- Deen Ki Shaan Me Be-Adabi Karne Wala Murtad
19
Badmazhabo Se Rishte
Ahle Sunnat Wa Jam’at Ke Yaha Shadi Biyah Karne
Ki Zyada Koshish Karta Hai Isliye Ki Is Tarha Woh
Apne Rishtedaro Ko Be-Deen Banane Me Asaani Ke
Saath Kamyaab Ho Jata Hai. Aur Sirf Naam Ka
Sunni, Allah-O- Rasool Wa Buzurgan-e- Deen Ki
Muhabbat Ka Jhoota Daave Daar Unn Ke
Dushmanon Ke Yahan Rishta Kar leta Hai, Halan Ki
Un Ke Saath Shadi Karna Zinakaari Ka Darwaza
Kholna Hai Isliye Ki Murtad Ke Saath Nikah Jayiz Hi
Nahi Hota Jaisaa Ki Fatawa Alamgiri Jild Awwal
Misri Safa 263 Mein HaiMurtad Ka Nikah Murtadah
Musilma (Musalmaan Wa Murtad Aurat) Aur
Kaafirah Asliyah (Woh Aurat Jo Asli Kaafir Ho) Kisi
Se Jayiz Nahi Aisa Hi Murtadah Ka Nikah Kisi Se
Nahi Ho Sakta. Isi Tarha Imaam Muhammad
Alaihir- Rahmat Wa Rizwaan Ki Kitaab Mabsoot
Mein Hai. Hairat Hai Ki Sunni Apne Baap Dada Ke
Dushmano Se Rishta Nahi Karta Magar Allah-O-
Rasool Aur Buzurgan-e- Deen Ke Dushmano Ke Yaha
Shaadi Biyah Karne Mein Koi Rukawat Nahi Mehsoos
Karta. Aur Jab Unke Yahan Rishta Karne Se Manaa
Kiya Jata Hai Toh Kehta Hai Ki Ab Woh Zamana Nahi
Raha Ki Un Ke Yahan Shaadi Kane Se Roka Jaye.Aise
20
Badmazhabo Se Rishte
Log Jab Taraqqi Karenge Toh Ghair Qoumo Ke
Yahan Rishta Karne Se Bhi Inko Koi Aitraaz Na Hoga
Jaisa Ki Aaj Kal Kuch Naam Nihaad Taraqqi Waale
Musalman Ghair Muslimo Ke Yahan Shadi Karne
Lage Hain. Aur Phir Aise Log Jab Aur Bhi Taraqqi Kar
Jayenge To Apni Behan Beti Ko Bhi Biwi Banakar
Rakh Lene Me Unko Koi Rukawat Nahi Hogi. Aur Jab
Manaa Kiya Jayega To Yahi Kahenge Ki Ab Woh
Zamana Nahi Raha. Jaisaa Ki Kuch Taraqqi Waale
Mulk Ke Log Behen Aur Beti Ko Biwi Banakar
Rakhne Lage Hai. Khuda Ki Panah. Kuch Jahil
Gawaar Kehte Hain Ki Ladki Lane Me Koi Harj Nahi
Albatta Unko Ladki Dena Ghalat Hai. Halan Ki Ladki
Ho Ya Ladka Kisi Ka Rishta Unse Karna Jayiz Nahi
Jaisa Ki Fatawa Alamgiri Ke Hawala Se Abhi
Guzraa. Aur Fir Ladki Dene Me To Sirf Ek Ladki Ko
Murtad Ke Hawale Karna Hai. Aur Murtad Ki Ladki
Hane Me Apne Ladke Aur Uski Aulaad Ko Murtad
Hone Se Raste Par Khada Karna Hai Iss Liye Ki Aksar
Yahi Hota Hai Ki Jiss Sunni Ladka Ki Biwi Murtad Ke
Yahan Se Layi Gayi Kuch Dino Ke Baad Woh Bahki
Bahki Batein Karne Lagta Hai. Aur Uski Aulaad Nana
Nani Ka Asar Qubool Kar Leti Hai Murtad Ka Zabah
21
Badmazhabo Se Rishte
Kiya Hua Murdaari Khati Hai, Unhi Ka Taur Wa
Tariqa Ikhtiyaar Karti Hai, Yahan Tak Ki Kuch Dino
Baad Woh Waqt Aa Jata Hai Ki Pura Ghar Bedeen Ho
Jata Hai.Khulasa Yeh Ki Murtad Ki Ladki Laana Unko
Ladki Dene Se Zyada Khatarnaak Hai Ki Iss Tarha
Sunniyat Ko Zyadah Nuksaan Pahunchta Hai.
SHAITANI FAREB
Jab Koi Naam Nihaad Sunni Kisi Murtad Ke
Yahan Rishta Karna Chahta Hai To Duniyadaar
Moulvi Shaitaani Fareb Se Kaam Leta Hai, Yani
Tauba Karake Nikah Padha Deta Hai Aur Paise Lekar
Apna Rastaa Pakadtaa Hai. Aur Tauba Karne Wala
Murtad Pehle Ki Tarha Apne Purane Tariqe Par Rahta
Hai.Iss Liye Shariat Ka Yeh Hukm Hai Ki Taubaa Ke
Baad Fauran Uss Ke Saath Nikaah Nahi Kiyaa Jayega
Balki Kuch Dino Use Dekha Jayega Ki Apne Taubaa
Par Wo Qayim Hai Ya Nahi?? Jaise Koi Fasik-e-
Moalinn Tauba Karle To Fauran Use Imaam Nahi
Banaa Diya Jayega. (Fatawa Razviya Jild 3, safa 213)
Mein Hai Ki Fatawa Qaazi Khan Phir Fatawa Alamgiri
Me Hai Ki “Fasik Tauba Karle Tab Bhi Uski Gawahi
22
Badmazhabo Se Rishte
Nahi Qubool Ki Jayegi Jab Tak Ki Itna Waqt Na Guzar
Jaye Ki Uss Par Taubaa Ka Asar Zahir Ho.” Aur Aala
Hazrath Imaam-e- Ahle Sunnat Fazaile Bareilvi
RadiAllahu Ta’ala Anhu Likhte Hain Ki “Amirul
Momineen Gaizul Munafiqeen Imaamul Aadileen
Sayyaduna Umar Farooq-e- Azam RadiAllahu Ta’ala
Anhu Ne Jab “Subaig” Se Jis Par Bawajhe Bahse
Mutashabihat Badmazhabi Ka Andesha Tha Baad
Zarbe Shadeed Taubaa Li. Abu Musa Ashari Radi
Allahu Ta’ala Anhu Ko Farmaan Bhejaa Ki
Musalmaan Uss Ke Paas Na Baithe, Uske Saath
Khareed-O- Farokht Na Karein, Bimaar Pade To Uski
Aayadat Ko Na Jayen Aur Mar Jaye To Uski Janaza
Par Hazir Na Ho. Batameele Hukme Ahkam (Iss Bade
Hukm Ke Manane Ke Saath) Ek Muddat Tak Yeh Haal
Raha Ki Agar Sau (100) Aadmi Baithe Hote Aur Wo
Aata Sab Murtafariq (Titar Biter) Ho Jate. Jab Abu
Musa Ashari Radi Allahu Ta’ala Anhu Ne Arzi Bheji
Ki Ab Us Ka Haal Accha Ho Gaya. Uss Waqt Ijazat
Farmayi (Fatawa Razviya Jild 3 Safa213)
Aala Hazrath Ne Iss Waqiye Ke Suboot Me
Paanch (5) Hadeeso Ko Naql Farmaya Hai.
Dekhiye" Subaig” Sirf Ayate Mutashabihaat Yani
23
Badmazhabo Se Rishte
Wajahullah Aur Yadullah e Misl Me Bahas Kiya Karta
Tha Woh Murtad Nahi Tha Balki Sirf Us Ke
Badmazhab Hone Ka Dar Tha Magar Uss Ke
Bawajood Hazrath-e- Umar Farooq-e- Azam Radi
Allaha Ta’ala Anhu Ne Taubaa Ke Baad Bhi Uss Ka
Sakht Boycott Kiya Jab Tak Ki Itminaan Nahi Ho
Gaya. Lehaza Murtad Aur Badmazhab Ko Tauba
Karne Ke Baad Badarja-e-Aula (Zaroor) Kai Baras
Tak Dekha Jayega. Jab Uss Ki Baat Cheet Aur Taur
Tareeqa Se Khub Itmenaan Ho Jaye Ki Woh Ahle
Sunnat Wa Jama’at Ka Aadmi-O- Me Gaya Tab Uss
Ke Saath Nikah Kiya Jayega Warna Nahi. Lihaza Wo
Sakhs Murtad Ya Murtadah Ko Tauba Karane Ke Baad
Fauran Un Ke Saath Apne Ladka Ladki Ka Biyah Kare
Ya Jo Maulvi Aisa Nikah Padhe Musalmanon Ko
Chahiye Ki Inn Dono Ka Mazhabi Boycott Kare Aur
Aise Duniyadaar Moulvi Ke Peeche Namaz Na Padhe.
CHAKDAALVI
Yeh Giroh Apne Aap Ko Ahle Qura’an Kehta
Hai. Unka Aqida Hai Ki Huzoor Sallalahu Ta’ala
Alaihi Wasallam Sirf Alchi Hai Aur Bas. Khullam
Khulla Saari Hadeeson Ka Inkar Karta Hai Yani Allah
Ke Mahboob Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ki
Farmabardari Ko Nahi Maanta. Yeh Woh Baatein Hain
Jin Ko Hamare Baap Dada Ne Kabhi Nahi Suna Tha
Balki Un Ko Khuda-e- Ta’ala Ne Yeh Hukm Diya Hai
Ki Aye Imaan Walon Allah Ki Farmabardari Karo
Aur Rasool Ki Farmabardari Karo(Para 5 Ruku 5)
QADIYAANI
Yeh Log Mirzaa Gulaam Ahmed Ko Mehdi,
Nabi Aur Rasool Mante Hai. Huzoor Sayyid-e- Aalam
Sallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Baad Dusre Nabi
Ka Paida Hona Jayiz Thehraate Hain. Yeh Woh Batein
Hain Jinko Hamare Baap Dada Ne Kabhi Nahi Sunaa
26
Badmazhabo Se Rishte
Tha. Allah Ta’ala Ne Un Se Farmaya Tha Ki
“Muhammad Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam
Tum Mardo me Se Kisi Ke Baap Nahi Aur Lekin
Allah Ke Rasool Aur Khatamunnabiyeen Hain”
(Para 22 Ruku 2)
Aur RasoolAllah Sallalahu Ta’ala Alaihi
Wasallam Ne Unhe Bataya Tha “Mai Khatamul
Ambiya (Akhri Nabi) Hoon Mere Baad Koi Naya
Nabi Nahi Hoga.” (Mishkaat Shariff Safa 465) Yani
Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Par Nabiyon
Ke Paida Hone Ka Silsila Khatm Ho Gaya Aap Ne
Nubawat Ke Darwaza Par Muhar Laga Di. Ab Aap Ke
Baad Koi Nabi Hagiz Nahi Paida Hoga.
RAFZI (SHIA)
Yeh Giroh Aapne Aap Ko Shiaa Kehta Hai Yeh
Log Hazrath Abu Bakr Siddique, Hazrath Umar
Farooq-e- Azam, Hazrath Usman-e- Ghani Aur Bohut
Se Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmayeen Ko
Bura Bhala Kehte Hai Aur Un Ko Khullam Khulla
Galiyaa Dete Hai.Yeh Woh Batein Hai Jinko Hamare
Baap Dada Ne Kabhi Nahi Suna Tha. Unko Qura’an
27
Badmazhabo Se Rishte
Ne Yeh Bataya Tha Ki “Khudaye Ta’ala Ne Saare
Sahaba Se Bhalayi Ka Wadaa Farmaya Hai” Yani
Jannat Ka (Para 28 Ruku 18) Aur Qura’an Ne Unse
Yeh Irshaad Farmaya Tha Ki “Allah Ta ’ala Sahaba Se
Razi Hai Aur Woh Allah Se Razi Hai.Khudaye Ta’ala
Ne Unke Liye Aise Baagh Tayyar Kar Rakhe Hai,
Jinke Neeche Nahre Jaari Hai. Woh Log Un Me
Hameshaa Rahenge Yahi Bahut Badi Kamayabi
Hai”(Para 11 Ruku 1) Aur Rasoolullah Sallahu Ta’ala
Alaihi Wasallam Ne Unko Yeh Hukm Diya Tha Ki
Mere Sahaba Ki Izzat Karo Iss Liye Ki Woh Tum Se
Behtar Hai” (Mishkaat Shariff Safa No.554) Aur
Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Unse
Yeh Farmaya Tha Ki “Mere Sahaba Ke Bare Me Allah
Ta’ala Se Daro. Allah Ta’ala Se Daro. Mere Baad
Unhe Aiteraaz Ka Nishaana Na
Banana”(Tirmizi,Mishkaat Safa 554) Aur
Rasoolullah Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne
Unhe Yeh Hukm Farmaya Tha Ki “ Mere Sahaba Ko
Gaali Na Do.” (Bukhari, Muslim, Mishkaat Safa
No.553) Rafzi Sahaba Ko Galiyaan Dene Ke Ilawa
Aur Bhi Bahut Se Kufri Aqide Rakhte Hain Yahan Tak
Ki Unn Me Ke Kuch Firqe Hazrath Ali Radi Allahu
28
Badmazhabo Se Rishte
Ta’ala Anhu Ko Khuda Qaraar Dete Hai. Tafseel Ke
Liye Tuhfaye Isnaa Ashriyya Dekhein.
KHWARJI
Iss Giroh Ko Yazeedi Bhi Kaha Jata Hai. Yeh
Log Hazrath Ali Radi Allahu Ta’ala Anhu Ko Bura
Bhala Kehte Hai. Rasool Ke Nawase Hazrath Imaam
Hussain Radi Allahu Ta’ala Anhu Ko Baagi Qarar
Dete Hai. Aur Unki Shaan Me Tarah Tarah Ki Be-
Adabi Karte Hai. Aur Yazeed Jis Ne Kaba’a -e
Muazzamah Aur Rauza-e- Munawwarah Ki Sakht
Behurmati Ki Masjid-e- Nabawi Me Ghode
Bandhwaye Jin Ki Leedh Aur Peshaab Mimbar-e-
Aqdas Par Pade, Hazaron Sahaba Aur Tabiyeen Ko
Begunaah Shaheed Kiya. Madeena Taiyyaba Ki Paak
Daaman Paarsaa Aurto Ko Teen (3) Roz Apne
Khabees Lashkar Par Halaal Kiya Aur Jigar Para-e-
Rasool Farzande Batool Hazrath Imaam Hussain
RadiAllahu Ta’ala Anhu Ko Teen Din Be Aab-O-
Daana (Daana Aur Paani Ke Begair) Rakh Kar
Maidaan-e- Karbala Me Pyaasa Zabah Kiya Aur Fir
Shahadat Ke Baad Unke Jism Par Ghode Daudaye
29
Badmazhabo Se Rishte
Gaye Yahan Tak Ki Unki Haddiya Chakna Choor Ho
Gayi (Dekhiye Fatawa Razviya Jild no.6 Safa no.107)
Magar Jisne Yeh Sab Kuch Kiya Aise Yazeed Khabees
Ko Yeh Kharji Jannati Qarar Dete Hai Aur Use
Ameerul Momineen (Musalmanon Ka Chunaa
Hakeem) Wa RadiAllahu Ta’ala Anhu Kehte Hain.
Note: Yazeed Ke Jannati Hone Ke Bare Me Kharji
Yazeedi Jo Bukhari Shariff Ki Hadees Pesh Karte Hai
Us Ka Jawab Hamari Kitaab (Khutbate Muharam Safa
345) Par Dekhe. Alamjadi
WAHABI-DEOBANDI
Iss Giroh Ka Aqidaa Yeh Hai Ki Jaisa Ilm
Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ko Hasil
Hai, Aisaa Ilm To Bacchon, Paglon, Aur Janwaron Ko
Bhi Hai. Jaisa Ki Deobandiyo Ke Peshva (Aguvaa)
Moulvi Ashraf Ali Thanvi Ne Huzoor Sallalahu Ta’ala
Alaihi Wasallam Ke Liye Kul Ilm-e-Gaib Ka Inkaar
Karte Hue Sirf Kuch Ilm-e-Gaib Ko Sabit Kiya Phir
Kuch Ilme Gaib Ke Bare Me Yun Likha Ki “Iss Me
Huzoor Ki Kya Takhsees Hai Aisa Ilm To Zaid Wa
Amar Balki Har Sabee-wa- Majnoon Balki Jamiaa
30
Badmazhabo Se Rishte
Haiwanat Wa Bahaayim Ke Liye Bhi Hasil Hai”(
Hifzul Imaan Safa No.7)
Note: Naye Edition Me Yeh Ibarat Kuch Badal
Di Gayi Hai Lekin Saare Wahabi Deobandi Usi Purani
Ibarat Ko Sahih Mante Hain, Lehaza Sirf Ibarat
Badalne Se Unka Kufr Nahi Utth Jayega. Iss Giroh Ka
Ek Aqidah Yeh Bhi Hai Ki Huzoor Sayyid-e- Aalam
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Aakhri Nabi Nahi
Hai. Aap Ke Baad Dusra Nabi Ho Saktaa Hai Jaisa Ki
Moulvi Kaasim Nanotvi Darul Ulum Deobandi Ki
Buniyaad Rakhne Wale Ne Likhaa Hai Ki “Awaam Ke
Khayaal Me To Rasoolullah Ka Khaatm Hona Bayi
Maana Hai Ki Aap Ka Zamana Ambiyaaye Sabiq Ke
Zamane Ke Baad Aur Aap Sab Me Aakhri Nabi Hai
Magar Ahle Faham Par Roshna Hoga Ki Taqaddum Ya
Ta’akhur Zamana Me Bizzat Kuch Fazeelat Nahi”
(Tahazeerunas Safa no.3) Iss Ibarat(lekh) Ka
Khulasa Yeh Hai Ki Khatamun Nabiyyin Ka Yeh
Matlab Samjhnaa Ki Aap Sab Me Aakhri Nabi Hai
Yeh Na Samjh Aur Gawaron Ka Khayal Hai. Aur
Aage Phir Yun Likha Ki “Agar Bil Farz Baad
Zamanaye Nabvi Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam
Koi Nabi Paida Ho To Fir Bhi Khatmiyyate
31
Badmazhabo Se Rishte
Muhammadi Mein Kuch Farq Na Aayega
(Tahazirunnas Safa no.28) Iss Ibarat Ka Khulasa
Yeh Hai Ki Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam
Ke Baad Dusra Nabi Paida Ho Sakta Hai. Khuda Ki
Panah. Iss Giroh Ka Ek Aqidah Yeh Bhi Hai Ki
Shaitan Wa Malikul Maut Ke Ilm Se Huzoor Sayyid-
e- Aalam Sallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ka Ilm
Kam Hai. Jo Shakhs Shaitan Wa Malikul Maut Ke
Liye Bohut Ilm Mane Woh Momin Musalman Hai,
Lekin Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ke
Ilm Ko Bohut Zyadah Manne Wala Mushrik Be-Imaan
Hai, Jaisa Ki Iss Giroh Ke Peshwa Moulvi Khaleel
Ahmed Ambethi Ne Likha Ki “Shaitan Wa Malikul
Maut Ko Yeh Usaat Nas Se Sabit Hui Fakhar-e- Aalam
Ke Usaat-e-lm Ki Kon Si Nas-e- Atayi Hai Jis Se
Tamaam Nusus Ko Rad Karke Ek Shirk Saabit
Karta Hai.”(Baraaheene Kaatiaa Safa no. 51) Aur
Inn Logon Ka Ek Aqida Yeh Bhi Hai Ki Huzoor
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Mar Kar Mitti Me
Mil Gaye Jaisa Ki Takviyutul Imaan Safa 79 Par Hai.
Upar Likhe Gaye Aqidon Ke Ilaawa Aur Bhi Iss Giroh
Ke Bahut Se Kufr Wale Aqeede Hai. Iss Liye Makka
Muazzama Madeena Tayyaba, Hindustan, Pakistan,
32
Badmazhabo Se Rishte
Burma, Aur Bangladesh Ke Saikdon Aalimon Aur
Muftiyon Ne Inn Logon Ke Kafir Wa Murtad Hone Ka
Fatawa Diya Hai. Tafseeli Malumaat Ke Liye Fatawa
Husamul Harmain Aur Asswarimul Hindiyah Ko
Padhe.
33
Badmazhabo Se Rishte
Allahu Ta’ala Alaihi Ajmayeen Gumrah Wa
Badmazhab The Isliye Ki Yeh Sab Ke Sab Muqallid
The Aur Kisi Imaam Ki Taqleed Unke Nazdeek
Gumrahi Wa Badmazhabi Hai.
TABLEEGHI JAM’AT
Iss Giroh Ke Bhi Saare Aqeede Wahi Hai Jo
Wahabiyo Deobandiyo Ke Hai. Magar Yeh Log Ahle
Sunnat Wa Jam’at Ko Apne Jaisa Aqida Wale Banane
Ke Liye Fareb Se Sirf Kalma Wa Namaz Ka Naam
Lete Hai. Aur Jab Koi Sunni Dhoke Se Unn Ki Jam’at
Me Shamil Hokar Unke Zahiri Amal Ka Asar Qabool
Kar Leta Hai To Phir Yeh Log Aasaani Ke Saath Use
Pakka Wahabi Deobandi Banakar Allah Au Uss Ke
Rasool Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ki Bargaah
Ka Be-Adab Banaa Lete Hai.
MAUDOODI JAM’AT
Yeh Giroh Apne Aap Ko Jama’at Islaami
Kehlata Hai. Yeh Bhi Bahabiyo Deobandiyo Ki Ek
Shaakh Hai Yani Buniyadi Taur Par Donon Ek Hai.
34
Badmazhabo Se Rishte
Iske Ilaawa Iss Jama’at Ko Banane Wale Abul Aala
Mauddudi Ne Tamaam Nabi Khaskar Hazrath Nooh
Alaihisalaam, Hazrath Yusuf Alaihisalaam, Hazrath
Musa Alaihisalaam, Hazrath Dawood Alaihisalaam
Aur Hazrath Yunus Alaihisalaam Yaha Tak Ki Saare
Nabiyon Ke Sardaar Hazrath Muhammad Mustafa
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ki Shaan Me Be-
adabi Ki Hai.Aur Tamaam Sahaba Khaas Kar
Hazrath Abu Bakr Siddique, Hazrath Umar Farooq,
Hazrath Usman Ghani, Aur Hazrath Khalid
Ibne Walid RadiAllahu Ta’ala Anhum Par Nukhta
Chini Karke Unki Tauheen Ki Hai. Aur Rafziyon
(Shia) Ko Kush Karne Ke Liye Wahi Likhne Wale
Huzoor Ke Sahabi Hazrath Ameer Muawiya Radi
Allahu Ta’ala Anhu Ki Zaat Par Aise Ilzamaat Lagaye
Hai Ki Musalmaan To Musalman Kafir Bhi Sharmaa
Jaye. Aur Ummhatul Momineen Hazrath Ayesha
Siddiqa Wa Hazrate Hafsa Radi Allahu Ta’ala
Anhuma Ko Zubaan Daraz Qaraar Diya Hai Aur Deen
Ke Bade-Bade Aalim Khaas Kar Hazrate Imaam
Gazali, Hazrate Imaam Rabbani Mujaddeed AlfeSaani
Aur Hazrath Shah Waliullah Muhaddis Dehlvi Par
Nuktaa Chini Karke Un Ki Be- Adabi Ki Hai. Yahan
35
Badmazhabo Se Rishte
Tak Ki Qura’an Kareem Ke Bare Me Likha Ki Woh
Najaat Ke Liye Nahi Balki Hidaayat Ke Liye Hai. Jiss
Ka Matlab Yeh Hua Ki Jo Sakhs Najaat Chaahe
Woh Koi Aur Kitaab Talaash Kare Khuda Ki Panah.
Note: Abul Aala Maudoodi Ki Inn Saari Gustakhiyo
Aur Be- Adabiyo Ki Tafseel Kitaabon Ke Naam Aur
Unki Jild Wa Safa Ke Hawalon Ke Saath Jaanne Ke
Liye Kitaab“Jam’at-e- Islami” Lekhak Hazrath
Allamah Arshdul Qadiri Qibla Aur Kitaab “Do Bhai
Maidoodi Aur Khumaini” Ko Padhe.Inn Gusthakiyo
Ke Ilawa Maudoodiyo Ka Aqidaa Hai Ki Qazaa Wa
Qadr (Takdeer) Par Imaan Laana Koi Zaroori Nahi
Jaisa Ki Unki Kitaab “Masla-e- Qazaa Wa Qadr”" Safa
13 Par Likha Hai Ki “ Mere Nazdeek Maslah Qaza
Wa Qadr Imaan Ha Zooj Nahi Hai. Uski Haisiyat Ek
Maslah Ki Hai.” Halanki Qaza Wa Qadr (Takdeer) Ka
Maslah Imaan Ka Juz Hai Isliye Ki Imaan Mufassal
Me Hai “Wal Qadeer Khairihi Wa Sharihii Minallahi
Ta’ala” Yani Mai Iss Baat Par Imaan Laya Ki Taqdeer
Ki Acchai Aur Buraayi Allah Ki Taraf Se Hai. Aur
Rasoolullah Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne
Taqdeer Se Inkaar Karne Walon Ko Iss Ummat Ka
Majooz Bataya.Aur Farishte Noor Se Paida Kiye Gaye
36
Badmazhabo Se Rishte
Hai. Woh Allah Ke Masoom Bande Hai Har Qism Ke
Chhote Bade Gunah Se Paak Hai Aur Woh Log Wahi
Karte Hai, Jo Allah Ka Hukm Hota Hai. Uske Hukm
Ke Khilaaf Wo Kisi Haal Me Kuch Nahi Karte. Aur
Mushriko Ke Devi Devta Unke Boot Aur Mabood
Hai Jinko Wo Poojte Hain. Qura’an Ke Hukm Ke
Mutaabik Mushrikeen Aur Unn Ke Boot Jahannam Ke
Indhan Hai. Magar Modoodiyon Ka Aqida Hai Ki
Farishte Aur Devi Devta Ek Hi Hai Jaisa Ki Unn Ki
Kitaab" Tajdeede Ehyay-e- deen Safa 14 Par Likha Hai
” Ki Islaami Istelah (Bol Chal) Me Jinko Farishta
Kehte Hai, Woh Takreeban Wohi Cheez Hai Jiss Ko
Yunaan Aur Hindustaan Wagera Mamaalik Ke
Mushrikon Ne Devi Devta Qaraar Diya Hai. Aur
Maidoodiyo Ka Aqida Hai Ki Tafseer Aur Hadees Ke
Puraane Zakheere Sab Bekaar Ho Gaye Jaisa Ki
“Tankeehat” Safa 126 Par Likha Hai Ki “Qura’an
Aur Sunnate Rasool Ki Taleem Sab Par Muqddam Hai
Lekin Tafseer Wa Hadees Ke Puraane Zakhiron Se
Nahi." Aur Tamaam Ambiyaa Wa Auliya Khudaye
Ta’ala Ke Yahan Gunahgaro Ke Shafi' Aur Sifarshi
Hai Aur Unn Sab Ke Aaqa Rasool-e- Akram Sallalahu
Ta’ala Alaihi Wasallam Shafaat-e- Kubra (Badi
37
Badmazhabo Se Rishte
Sifarish) ke Martabe Se Nawaze Gaye Hain Lihaza Inn
Se Madad Mangna Aur In Ki Tazeem Karna Jayez Hai
Aur Najr Wa Niyaaz Pesh Karna Bhi Jayiz Hai. Lekin
Modoodiyo Ka Aqeedah Hai Ki Kisi Ko Shafi'a Aur
Sifaarshi Maan Kar Unse Madad Mangna Unn Ko
Khuda Banana Ho Gaya. Yani Unn Se Madad Mangne
Wale Modoodiyo Ke Nazdeek Mushrik Ho Gaye Jaisa
Ki Unki Kitaab “Qura’an Ki Chaar Buniyaadi
Istelaayi” Safa 22 Par Likha Hai Ki “Kisi Ko Khud
Ke Yahan Sifarishi Qarar Dekar Usse Madad Ki
ltejaa Karna Aur Usske Saath Marasime Tazeem-O-
Takreem Bajaa Iaana Aur Nazr-o- Niyaaz Pesh Karna
Uss Ko Ilaah (Maabood Aur Khuda) Banana Hai.Allah
Ke Naam Par Jaanwar Zubah Karke Uss Ka Sawaab
Buzurgon Ko Pahunchana Jayez Hai, Aur Muslim
Shariff Ki Hadees Hai Ki Rasool-e- Aqdas Sallalahu
Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Qabro Ki Ziyarat Ka
Hukm Farmaya Aur Apni Qabre Anwar Ki Ziyarat
Karne Walon Ke Liye Shafa’at Ke Wajib Hona Ka
Mujadaa (Khushkhabri) Sunaya. Lekin Modoodiyon
Ka Aqida Hai Ki Buzurgan-e- Deen Ke Mazaron Ki
Ziyarat Karna Mazarat Ka Haj Karna Hai Aur Allah
Ke Naam Par Jaanwar Zabah Kar Ke Buzurgon Ko
38
Badmazhabo Se Rishte
Sawaab Pahunchana Gairullah Ke Liye Qurbani Ho
Gayi. Aur Buzurgon Ke Mazaar Ki Ziyaarat Karna
Qatal Aur Zina (Badkari) Ke Gunah Se Badtar Hai
Jaisa Ki Unn Ki Kitaab “Tajdeede Ehyayedeen” Safa
93 Par Likha Ki “ Tum Gairullah Ke Liye Qurbaniya
Karte Ho Aur Madaar Saahab Aur Salaar Saahab Ki
Qabron Ka Haj Karte Ho Yeh Tumhare Badtareen
Afaal (Kaam) Hai Aur Isi Kitaab “Tajdeede
Ehyayedeen” Ke Safa 97 par Likha Hai Ki" Jo Log
Hajaate Talab Karne Ke Liye Ajmer Ya Salar
Masood Ki Qabr Ya Aise Hi Kisi Doosre Makaamat
Par Jaate Hai Wo Ithnaa Badaa Gunah Karte Hai Ki
Qatl Aur Zina (Badkari) Ka Gunah Iss Se Kam
Hai. Aur Maudoodiyo Ka Aqida Hai Ki Kisi Goshe
Me Bait Kar Allah Allah Karte RahnaIbadat Nahi Jaisa
Ki Un Ki Kitab" Hakeekt-e- Saum-Wa- Salaat” Safa
18 Par Likha Hai Ki “ Duniya Ko Chhodkar Kono
Aur Goshon Me Jaa Baithna Aur Tasbeeh Hilaana
Ibadat Nahi.
SULLEH KULLI
Yeh Woh Giroh Hai Jo Ahle Sunna Wa Jama’at
Ke Ilaawa Chakdalvi, Qadyani, Rafzi, Kharji, Wahabi
39
Badmazhabo Se Rishte
Deobandi, Wahabi Gair Muqallid, Tableeqi Jam’at,
Modoodi Jam’at Aur Naichari Wagera Saare Gumrah
-o- Murtad Firko Ko Bhi Haq Samjhta Hai, Sab Ke
Yahan Shadi Bivah Karne Aur Har Ek Ke Peeche
Namaz Padhne Ko Jayaz Karta Hi Kisi Ko Naari Aur
Jahannami Nahi Tehraata Uss Ka Aqida Hai Ki
Kalma-O- Namaz Padhne Wala Har Mazhab Jannati
Hai. Halanki Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi
Wasallam Ki Hadees Hai Ki Meri Ummat 73 Firkon
(Girohon) Me Bat Jayegi Unme Sirf Ek Mazhab
Jannati Hoga Baakhi Sab Jahannami Honge.(Tirmizi,
Mishkaat Safa no.30)
Allah Ki Lanat
Chakdalviyat, Qadiyaniyat, Raafziyat,
Wahabiyat, Deobandiyat, Aur Gair Muqalideeyat
Wagera Ahle Sunnat Wa Jam’at Ke Khilaaf Jitne
Mazhab Hai, Iss Zamana Ke Zabardast Fitne Hai. Har
Padhe Likhe Logon Par Aur Aalimo Wa Piron Par
Khaas Kar Laazim Hai Ki Woh Awaam-e- Ahle
Sunnat Ko Inn Fitnon Ke Bare Me Batayen Aur
Sarkar-e- Aqdas Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ke
40
Badmazhabo Se Rishte
Hukm Ke Mutaabiq Unke Yahan Uthne Baithne Se
Rokein Aur Unke Yahan Shadi Bivah Karne Se
Sakhati Ke Sath Manaa Karein. Agar Woh Aisa Nahi
Karenge Aur Kisi Maslahat Se Chup Rahege To Allah
Ta’ala Aur Uss Ke Malaika (Farishton) Aur Sab
Logon Ki Lanat Ke Mustahaq Honge Aur Unka Koi
Farz Wa Nafl Qubool Na Hoga Jaisa Ki Hadees Shariff
Me Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ne
Farmaya Ki “ Jab Fitne Zahir Ho Aur Har Taraf
Bedeeni Failne Lage Aur Aise Mouq'a Par Aalim-e-
Deen Apna Ilm Zahir Na Kare Aur Apni Kisi Maslahat
Ya Faida Ki Lalach Me Chup Rahe. To Uss Par Allah
Ki Aur Tamaam Fariston Ki Aur Saare Insaanon Ki
Lanat Hai. Allah Na Uska Farz Qubool Karegaa
Aur Na Usski Nafl. ”(Sawayike Muharikah Safa 2
AlmahfoozJild 4 Safa no.4)
41
Badmazhabo Se Rishte
Jalalahu Wa Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ki
Bargah Ke Be- Adab Ban Rahe Hain Magar Woh Log
Qudrat Ke Bawajood Awaam Me Maqbooliyat Hasil
Karne, Zyada Se Zyada Aamdani Hone Ya Aur
Kisi Fayida Ke Liye Chup Rahte Hai Aur Aisi
Zabardasti Buraayi Ki Jiss Se Log Kufr Me Pad Jate
Hai, Nahin Rokte Woh Bila-Shubah Huzoor Sayyid-e-
Aalam Sallahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Raste Par
Nahi Hai, Jaisa Ki Tirmizi Me Hazrat Ibne Abbas Radi
Allahu Ta’ala Anhuma Se Hadees Shariff Riwayat Hai
Ki " Jo Musalman Hamare Chhoton Par Meharbani Na
Kare, Hamare Badon Ki Tazeem Na Kare, Acchi Baat
Ka Hukm Na De Aur Buri Baat Se Na Roke Woh
Hamare Raasta Par Nahi” (Mishkaat Shariff Safa 423)
Aur Aise Log Naayab-e- Rasool Nahi Sirf Naam Ke
Aalim Hai Isliye Ki Rasool Logon Ko Gumrahi Wa
Badmazhabi Se Bachane Aur Unko Sahih Rasta Par
Chalane Ki Fikr Me Din Raat Lagaa Rehta Hai.
Lihaaza Jo Aalim Unke Tareeqe Par Chale Aur Unka
Rasta Ikhtiyar Kare Wahi Nayab-e- Rasool Hai
Warna Duniya Kamane Ke Liye Woh Sirf Naam Ka
Aalim Hai.
42
Badmazhabo Se Rishte
SABSE KAMZOR IMAAN WALA
Achi Baat Ka Hukm Dena Aur Buri Baat Se
Rokna Musalmanon Par Wajib Hai Jaisa Ki Hazrath
Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Bukhari
Rahmatullahi Ta’ala Alaih Likhte Hai Ki “Acchayi Ka
Hukm Dena Aur Buraayi Se Roknaa Wajib Hai Isspar
Ummat Ka Ijma’aa (Sehmati) Hai. (Ashiatullamaat
Jild 4 Safa173) Lihaza Agar Koi Haath Aur Zubaan Se
Burayi Na Rok Sake Aur Sirf Dill Se Buraa Jaane
To Woh Sab Se Kamzoor Imaan Wala Hai. Jaisa Ki
Muslim Shariff Me Hazrath Abu Sayid Khudri
RadiAllahu Ta’ala Anhu Se Hadees Shariff Riwayat
Hai Ki Sarkar-e- Aqdas Sallalahu Ta’ala Alaihi
Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ki “Jo Shakhs
Koi Baat Shara’a Ke Khilaaf Dekhe Toh Use
Apne Haath Se Rok De Aur Agar Haath Se Rokne Ki
Qudrat Na Ho To Zubaan Se Mana Kare. Aur Agar
Zuban Se Bhi Mana Karne Ki Qudrat Na Ho To Dill
Se Buraa Jane Aur Yeh Sab Se Kamzor Imaan
Hai.”(Mishkaat Sharif Safa 436)
43
Badmazhabo Se Rishte
BURAYI NA ROKNE PAR AZAAB
Bahut Se Musalmaan Iss Bewakoofi Me Pade
Hue Hain Ki Agar Log Bura Kaam Kar Rahe Hain
Toh Woh Uss Ka Jawaab Denge. Hum Se Kya
Garaj? Aur Yeh Soch Kar Woh Chup Rehte Hain Kuch
Nahi Bolte. Balki Kuch Log To Burayi Rokne Wale
Ke Khilaaf Ho Jate Hain. Aur Kehte Hain Aap SeKya
Matlab? Halanki Uss Burayi Se Roknaa Sab Logon
Par Laazim Hai. Agar Qudrat Ke Bawajood Nahi
Rokenge To Sab Par Azaab Naazil Hoga. Jaisa Ki
Ibne Adi Kinadi Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Hadees
Shariff Riwayat Hai Ki Huzoor Sallalahu Ta’ala Alaihi
Wasallam Ne Farmaya Ki" Allah Ta’ala Sab Logon Ko
Baaz (Kuch) Logon Ke Aamal Ke Sabab Azaab Nahi
Deta Magar Jabki Woh Apne Darmiyaan Bure Kaam
Hote Hue Dekhen Aur Use Rokne Ki Taakat Rakhte
Hue Na Rokein. Agar Unhone Aisa Kiya To Khudaye
Ta’ala Aam Aur Khaas Sab Ko Azaab Dega(Mishkaat
Shariff Safa438) Yani Agar Kuch Log Koi Gunah Kare
To Uss Ke Sabab Khudaye Ta’ala Dusron Par Azaab
Nahi Farmata Lekin Burayi Dekhkar Chup Rahna Aur
Use Ne Mitaana Aisa Gunah Hai Ki Uss Ke
Sabab Burayi Karne Wale Aur Chup Rahne Wale
44
Badmazhabo Se Rishte
Donon Par Azaab Nazil Farmata Hai. Burayi Karne
Wale Par Burayi Ke Sabab Aur Chup Rahne Walon
Par Chup Rahne Ke Sabab. Aur Tirmizi Shariff Me
Mazrath Huzaifa Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Hadees
Shariff Riwayat Hai Ki Nabi-e- Akram Sallalahu
Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Farmaya" Kasam Hai Uss
Zaat Ki Jiss Ke Qabza-e- Qudrat Me Meri Jaan Hai,
Tum Zaroor Achhi Baaton Ka Hukm Karna
Aur Bure Kamon Se Mana Karte Rahna. Warna
Jald Hi Allah Ta’ala Tum Par Apne Pas Se Azaab Bhej
Dega. Phir Tum Usse Dua Karoge To Tumhari Duaa
Qubool Nahi Ki Jayegi.(Mishkaat Shariff Safa 436)
Hazrath Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi
Bukhari Rahmatullah Alaihi Iss Hadees Shariff Ki
Sharah Me Likhte Hain“Yani Dusre Azaab Aur
Musibatein Dua Se Door Ho Sakti Hai, Lekin Acchi
Baat Ka Hukm Dena Aur Buri Baat Se Rokna Chod
Dene Ke Sabab Jo Azaab Nazil Hoga Door Nahi Hoga
Aur Dua Uss Ke Bare Me Qubool Na Hogi.”
(Ashiatullamaat Jild 4 Safa No. 175) Aur Tirmizi
Wa Ibn-e- Maja Ki Hadees Hai Hazrat-e- Abu Bakr
Siddique Radi Allahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki
Maine Rasool-e- Aqdas Sallalahu Ta’ala Alaihi
45
Badmazhabo Se Rishte
Wasallam Ko Farmate Hue Suna Ki “ Log Jab Koi
Buraa Kaam Dekhe Aur Uss Ko Na Mitayein To Jald
Hi Khudaye Ta’ala Un Sab Ko Apne Azaab Me
Mubtila Kare (Daale) Ga.”(Mishkaat Shariff Safa
no.436) Aur Abu Dawood Wa Ibn-e- Maja Ki Hadees
Hai. Hazrate Jareer Ibn-e- Abdullah Radi Allahu
Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Mai Ne Rasool Allah
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Ko Farmate Hue
Suna Ki “Kisi Qaum Ka Koi Aadmi Unke
Darmiyaan Gunah Karta Ho Aur Woh Use Rokne Ki
Taqat Rakhte Ho Magar Naa Roken To Khudaye
Ta’ala Un Sab Par Azaab Bhejega Iss Se Pahle Ki
Voh Mere.” (Mishkaat Shariff Safa 437) Hazrath
Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Bukhari
Rahmatullah Alaih Iss Hadees Shariff Ki Sharah Me
Likhte Hain Ki" Iss Hadees Shariff Se Maloom Hua Ki
Acchi Baat Ke Hukm Dene Aur Burayi Se Rokne
Ko Chhod Dene Ke Sabab Duniya Me Bhi Azaab
Hoga Aur Aakhirat Me Bhi. Ba Khilaaf Dusre
Gunahon Ke Ki Dunya Me Unpar Azaab
Nahi.(Ashiatullamat Jild 4 Safa 177) Baihiqi
Shariff Me Hazrath Jabir Radi Allahu Ta’ala Anhu Se
Riwayat Hai Ki Sarkar-e- Aqdas Sallalahu Ta’ala
46
Badmazhabo Se Rishte
Alaihi Wasallam Ne Farmaya “Khudaye Ta’ala Ne
Jibrail (Ek Farishta) Alaihisalaam Ko Hukm Farmaya
Ki Fulan Shahar Ko Jo Aisa Aur Aisa Hai Uss ke
Rahne Walon Samet Ulat Do. Jibrail Alaihisalaam Ne
Arz Kiya Aye Mere Parwardigaar, In Rahne Walon Me
Tera Fulan Bandaa Bhi Hai Jiss Ne Ek Minute Bhi Teri
Na Farmani Nahi Ki Hai To Allah Ta’ala Ne Farmaya
Mai Phir Hukm Deta Hu Ki Uss Par Aur Kul Rahne
Walon Par Shahr Ko Ulat Do Iss Liye Ki Uss Ka
Chehra Gunahon Ko Dekhkar Meri Kushi Ke Liye Ek
Minute Bhi Nahi Badla (Mishkaat Shariff Safa
No.439) Hazrath Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi
Bukhari Rahmatullah Alaih Iss Hadees Shariff Ki
Sharah Me Likhte Hai Ki “Gunahon Ko Dekh Kar
Khudaye Ta’ala Ki Khushi Ke Liye Chehra Ka Rang
Na Badalna Bahut Bada Gunah Hai Issi Liye Allah
Ta’ala Ne Uss Nek Bande Par Azaab Dene Ka Hukm
Pahle Farmaya Aur Gunah Karne Walon Par Azaab
Dene Ka Hukm Baad Me (Ashuatullamaat Jild 4
Safa 183) Aur Kisi Ke Chup Rahne Par Jab Ki Log
Yeh Kehne Lage Ki Fulan To Itne Bade Aalim Aur
Buzurg Hai Magar Woh Kisi Ko Nahi Mana Karte. Ek
Aap Hi Hai Rokne Aur Mana Karne Wale. Kya Woh
47
Badmazhabo Se Rishte
Aalim Nahi Hai. Agar Yeh Baat Galat Hoti To Woh
Bhi Zaroor Mana Karte Iss Surat Me Chup Rehne
Wale Aur Burayi Ko Dikha Kar Na Rokna Wale Pir
Wa Moulvi Aur Zyada Azaab Ke Layik Honge.
TARAH TARAH KE
FAREB(DHOKE)
Aaj Kal Ahle Sunnat Wa Jam’at Ke Yha Jal Se
Aur Conference Bahut Hoti Hai, Jinme Zyada
Taqreeren Dramayi Aur Rasmi Hoti Hai. Imaan Ke
Daaku Jis Raste Se Sunniyo Ke Gharon Me Ghus Kar
Unke Imaan Par Daka Daal Rahe Hai Aur Sunniyat
Ko Zabardast Nuksaan Pahuncha Rahe Hain Uss Raste
Ko Band Nahi Karte. Yani Badmazhabon Ke Saath
Uthhne Baithne Se Nahi Rokte Aur Na Unke Yahan
Shadi Bivah Karne Se Mana Karte Hai Balki Baaz
Moulvi Aur Peer Khud Hi Unke Yahan Rishta Kar
Lete Hai. Jise Sunni Awam Sanad Bankar
Badmazhabon Ke Yahan Shadi Bivah Karte Hai Aur
Thode Dinon Me Ghar Ke Ghar Gumrah-O-
Badmazhab Ho Jate Hai Inn Halat Me Agar Kahin Koi
Aalim-e- Deen Uss Buraayi Ke Khilaaf Kuch Bolta Ya
48
Badmazhabo Se Rishte
Likhta Hai To Naseehat Qubool Karne Ki Bajaye Uss
Se Dushmani Karte Hai Aur Tarah Tarah Ke Fareb Se
Uski Haq Baaton Ka Asar Khatam Kar Dete Hai.
Logon Ko Bahkate Hain. Na Khud Amal Karte Hain
Aur Na Dusron Ko Amal Karne Dete Hain. Kahin Koi
Uski Haq Goyi Ko Aib Joyi Qaraar Deta Hai Aur Ulte
Usi Ko Gunahgar Thehrata Hai. Jabki Chupe Hue
Aibon Ko Khojna Aib Joyi Hai. Aur Jo Burayi
Khullam Khulla Ki Jaati Ho Uske Khilaaf Bolna Haq
Goyi Hai Aib Juyi Nahi Aur Kuch Log Kahate Hain Ki
Yeh Gheebat Hai Halanki Jo Burayi Koi Khullam
Khulla Karta Hai Uss Ka Logon Me Charcha
Karna Gheebat Nahi. Faqeeh-e- Azam-e-Hind Hazrath
Sadrushariyah Rahmatullah Alaih Likhte Hain Ki “Jo
Shakhs Alaaniya(Khullam Khulla) Bura Kaam Karta
Ho Aur Uss Ko Iss Baat Ki Koi Parwah Nahi Ki Log
Use Kya Kahenge To Uss Shakhs Ki Us Buri Harkat
Ka Bayaan Karna Gheebat Nahi Magar Uss Ki Dusri
Baatein Jo Zahir Nahi Hai Unka Zikr Karna Gheebat
Hai. Hadees Shariff Me Hai Ki Jisne Haya Ka Hijaab
Apne Chehre Se Hata iya Usski Gheebat Nahi.
(Bahare Shariat Hissaa 16 Bayan Gheebat Bahwalye
Raddul Muhtar) Aur Kuch Log Kehte Hain Ki Woh
49
Badmazhabo Se Rishte
Urs Me Aurthon Ko Aane Se Kyun Nahi Rok Paate.
Yani Jab Woh Aalim Urs Me Aurthon Ko Aane Se
Rokne Par Kamyaab Ho Jaye Ga Tab Woh
Badmazhabon Aur Murtadon Se Rishta Nahi Karenge
Warna Unke Yahan Woh Barabar Shadi Bivah
Karte Rahenge Deen Aur Aqal Par Rona Chahiye. Aur
Kuch Log Kehte Hai Ki Woh Aalim Bade Haq Go
Hai To Aakar Aurthon Ko Mazaar Se Hataye. Aye
Kaash!!! Aise Haq Goyi Ka Maana Jaante. Aur
Agar Jante Hai To Jahil Na Bante Ki Haq Goyi Ka
Maana Hai Haq Baat Kah Dena Uss Ke Maana
Mazar Se Aurth Hatana Nahi Hai. Aur Kuch Log
Yeh Kehte Hue Nazar Aate Hain Ki Jab Uss Me Khud
Fulan Fulan Burayi Payi Jati Hai, To Woh Dusron Ko
Burayiyon Se Rokne Ka Haq Nahi Rakhta. Aise Logon
Ko Maloom Hona Chahiye Ki Uss Par Do (2)
Cheezein Wajib Hai. Khud Burayiyon Se Bachna Aur
Doosron Se Bachne Ke Liye Kahna. To Ek Wajib Ke
Chhootne Se Dusre Wajib Ka Chhorna Jayiz Nahi.
Hazrath Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Bukhari
Rahmatullah Alaih Likhte Hain Ki" Acchi Baat Ke
Karne Ka Hukm Dene Ke Wajib Hone Me Khud
Hukm Dene Wale Ka Bhi Amal Karne Wala Hona
50
Badmazhabo Se Rishte
Shart Nahi Balki Bagair Amal Bhi Achi Baat Ka Hukm
Dena Jayiz Hai Iss Liye Ki Apne Aap Ko Achi Baat
Ka Hukm Dena Wajib Hai Aur Dusre Ko Acchi Baat
Ke Karne Ka Hukm Dena Dusra Wajib Hai. Agar Ek
Wajib Chhut Jaye To Dusre Wajib Ko Chhodna Hargiz
Jayiz Na Hoga.” Aur Jo Qura’an Majeed Para 29 Me
Hai Ki “Woh Baat Kyun Kehte Ho Jo Karte Nahi Ho.”
To Agar Ise Achi Baat Ka Hukm Karne Aur Buri Baat
Se Rokne Ke Bare Me Maan Bhi Liya Jaye To Amal
Na Karne Par Dant Phatkar Hai, Na Ki Kahne Par.
(Ashuatullamaat Jild 4 Safa No. 173) Aur Phir Likhte
Hain Ki Dusron Ko Achi Baat Ka Hukm Karna Aur
Burayi Se Rokna Aur Khud Uspar Amal Na Karna
Azaab Ka Sabab Hai, Lekin Yeh Azaab Amal Na
Karne Ki Wajah Se Hai, Acchi Baat Ka Hukm Dene
Aur Burayi Se Rokne Ki Wajah Se Nahi Hai. Isliye Ki
Agar Yeh Bhi Nahi Karega Yani Achi Baat Ka Hukm
Nahi Dega Aur Burayi Se Nahi Rokega To Do (2)
Wajib Chhodne Ke Sabab Aur Zyada Azaab Ke Layik
Hoga. (Ashuatullamaat Jild 4 Safa no.175) Phir Koi
Aqal Wala Yeh Baat Hargiz Nahi Kahega Mai Haq
Baat Iss Liye Nahi Manunga Ki Uss Ka Kehne Wala
Khud Iss Par Nahi Chal Raha Hai. Iss Ki Misaal Bilkul
51
Badmazhabo Se Rishte
Aisi Hai Jaise Koi Logon Se Tandurasti Ka Taur
Tariqa Bayaan Kare Aur Sunne Wale Dekhen Ki Yeh
Shakhs Khud Tandurasti Ke Taur Tariqe Par Amal Na
Karne Ke Sabab Apni Tandurasti Barbaad Kar Raha
Hai, To Woh Log Yeh Nahi Kah Sakte Ki Tum
Khud Chunki Iss Tariqon Par Amal Na Karne Ke
Sabab Apni Tandurasti Kharaab Kar Rahe Ho, Isliye
Hum Tandurasti Ke Yeh Qayde Aur Qanoon Qubool
Na Karenge. Albatta Jise Aqal Se Koi Hissa Na Mila
Ho Woh Aisi Baat Keh Sakta Hai. Hazrath Shaikh
Saadi Rahmatullah Alaih Likhte Hain Ki “ Aalim Ki
Baat Dill Se Suno Agarche Woh Khud Be-Amal Ho
Aur Soye Hue Ko Soya Hua Aadmi Nahi Jagaa Sakta.
Mukhalif Ka Yeh Kehna Ghalat Hai. Admi Ko
Chahiye Ki Agar Diwaar Par Nasihat Likhi To Use Bhi
Qubool Kar Le.” Dua Hai Ki Allah Ta’ala Sare
Musalmanon Ko Apne Mehboob Pyare Mustafa
Sallalahu Ta’ala Alaihi Wasallam Aur Sahaba Aur
Buzurgon Ki Sacchi Muhabbat Ataa Farmaye Aur
Unke Dushmanon Se Door Rahne Ki Taufeeq
Bakhshe. AMEEN!! Bijahi Habeebi Ka Sayayidil
Mursaleen Salawatullahi Ta’ala Wa Salamuhu Alaihi
Wa Alaihim Ajmayeen
52
Badmazhabo Se Rishte
Roman Urdu Mein Humari Dusri
Kitabein Aur Rasail :
Bahaar -e- Tehreer (Ab Tak 13 Hisso Mein)
Allah Ta'ala Ko Uparwala Ya Allah Miyan Kehna
Kaisa?
Azaan -e- Bilal Aur Suraj Ka Nikalna
Ishqe Majazi - Muntakhab Mazameen Ka Majmua
Gaana Bajana Band Karo, Tum Musalman Ho!
Shabe Meraj Ghause Paak
Shabe Meraj Nalain Arsh Par
Hazrate Owais Qarni Ka Ek Waqiya
Dr. Tahir Aur Waqar -e- Millat
Taqreer Karne Waala Kaisa Ho?
Ghaire Sahaba Mein Radiallaho Ta'ala Anho Ka
Istemal
Ikhtelaf Ikhtelaf Ikhtelaf
Chand Waqiyaat -e- Karbala Ka Tehqeeqi Jaayeza
Binte Hawwa By Kanize Akhtar
Sex Knowledge
Hazrate Ayyoob Alaihissalam Ke Waqiye Par
Tehqeeq
Aurat Ka Janaza By Janabe Ghazal Sahiba
Ek Aashiq Ki Kahani Allama Ibne Jauzi Ki Zubaani
53
Badmazhabo Se Rishte
Huzoor Ki Shaan In The Quraan - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
Husne Mustafa Aur Kalame Raza - Maulana Sajjad
Ali Faizi
Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooqe Aazam -
Huzoor Tajushshariah Rahimahullahu Ta'ala
Kya Hazrate Bilal Radiallaho Ta'ala Anho Ka Rang
Kaala Tha?
Hazrate Bilal Ke Islam Laane Ka Waqiya Kya Tha?
Sharah Mishkaat (Kitabul Iman) - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
Chand Ghair Motabar Kitabein - Maulana Hasan
Noori
Tirmizi (Part 1)
Aaiye Namaz Seekhein (Part 1)
Sharah Mishkaat (Kitabul Ilm) - Mufti Ahmad Yaar
Khan Nayeemi Rahimahullahu Ta'ala
Sahih Bukhari Aur Ilme Ghaib - Allama Muhammad
Abdul Qadir
Difa -e- Kanzul Iman - Huzoor Tajushshariah
Rahimahullahu Ta'ala
Pehle Farz Nafl Baad Mein - Aala Hazrat
Rahimahullahu Ta'ala
Qiyamat Ke Din Logon Ko Kis Ke Naam Ke Saath
Pukara Jayega
54
Badmazhabo Se Rishte
Yaare Ghaar By Dr. Asif Ashraf Jalali
Tie Ka Mas'ala - Huzoor Tajushshariah
Rahimahullahu Ta'ala
Sawaneh Tajushshariah - Mufti Dr. Yunus Raza
Huzoor Tajushshariah Aur Bukhari Shareef Ki Pehli
Hadees Ka Dars - Maulana Muhammad Raza
Markazi
Huzoor Tajushshariah Ke Kalaam Mein Muhawraat
Ka Istemal - Muhammad Kashif Raza Shaad Misbahi
Hussamul Haramain
Haque Par Kaun? By Allama Muhammad Zafar
Attari
Shirk Kya Hai?
Qurbani Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat
Zibah Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat
Aulia -e- Rijalul Hadees By Allama Abdul Mustafa
Aazmi
Eisaiyat Se Islam Tak - Allama Ghulam Rasool
Qasmi
Zambik Ka Maana Aur Masla -e- Durood - Allama
Syed Ahmad Sayeed Kaazmi
Islami Taleem (Part 1) - Allama Mufti Jalaluddin
Ahmad Amjadi
Muharram Mein Kya Jaiz Aur Kya Najaiz? - Allama
Tatheer Ahmad Razvi
55
Badmazhabo Se Rishte
Muharram Mein Nikah By Abde Mustafa Official
Islami Zindagi - Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
Rahimahullahu Ta'ala
Riwayato Ki Tehqeeq (Part 1)
Riwayato Ki Tehqeeq (Part 2)
56
ABOUT US
Abde Mustafa Official Is A Team
From Ahle Sunnat Wa Jama'at
Working Since 2014 On The Aim To Propagate
Quraan And Sunnah
Through Electronic And Print Media.
We are :
Writing articles, composing & publishing books, running
a special matrimonial service for Ahle Sunnat
Visit our official website :
www.abdemustafa.in
about thousand of articles & 150+ tehqeeqi pamphlets
& books are available in Urdu, Roman Urdu & Hindi
E Nikah Matrimony
www.enikah.in
If you are searching a Sunni Life Partner then visit and find.
there is also a channel on Telegram
t.me/Enikah (Search “E Nikah Service” on Telegram)
SAB YA
VIRTUAL PUBLICATION powered by Abde Mustafa Official