6 Mashrati aur Majlisi Buraiyaan:-
Darmiyani hissey mein musalamanun ke mabain ittehad, ittefaq,
mohabbat, aquwat ki fiza ko barqarar rakhne ke leye aur iqtelaaf aur
adawat ke saddebaab ke leye chand ahkam deye gaye.
- 2 hukm bade
- 6 hukm chote inke muqable mein chote hain ( Quran ke koi baat chote
nahi)
** Ab jis do ayat ka mutalla ker rahein hai un mein 6 ahkaam arahain hai
- In 6 ahkaam ke barein mein hum yeh kah sakata hon ke yeh wo majlisi
buriyan hai jo hamare yahan bahot aam hai
- Aur inhe aam taur per bahot haqeer aur mamoli samjha jata hai, leken
inke wajah se kabhi kabhi dil phoot jate hain aur logaun mein nafrat
aur kadurat baith jate hai.
- Example of Brick- Deewar aur eenth ke missal
- Hum ne Quran ke in ayat per kabhi gaur keya hai jin mein nihayat
takeed ke gaye ke Ummate Muslimah ke her fard ke seerat aur kirdaar
ko pukhta keya jaye.
- Aur aaj hum inhe ayat ka khulasa kerengay Jin mein musalmanun ke
afrad, ashkaas, kumbaun, khandanaun, khaumaun aur khabilaun ko
jodne wale cheezaun ko bahtar banane wale baatein hamare samne
aaraha hai.
1. Tamaskhur:
- Pahle cheez apas mein ek dosre ka mazaq na udaye, quran majeed ka
yeh usloob aur tareqa hai ke wo muzzakar ko muqatib kerte hai ismein
moannas taabe hojata hai.
- Iska matlab ye nahi ke yeh ahkaam sirf mardaun ke leye hai.
- Phir yeh hukm takraar ke saath qawateen ke leye khaas taur se aaye
hai, is takraar ke hikmat per gaur kerengay to pata chalega ke majlisi
buriyan mardaun se zayada aurtaun mein zayada hote hai.
- Mardaun ke zindage mahnat, mashaqqat, aham masail aur bahot
zyada mashgooliyat rehte hai aur qawateen ke daire se to hum sab
waqif hai.
- Kisi ki shakl aur surat ke barein mein koi comment kerdeya, ya unke
rahen sahen aur chalan per ya unka fashion dosre ke mutabiq na hoto
unka mazaq uda deya aur choti choti baatun ko lekar mahfil mein
mazaq udate phirte hai.
- Aam taur per aurtein ke majlisi zindage aur mahol mein yeh buraiyan
paye jati hai lehaza yahan iska khaas taur per alaida zikr keya gaya hai.
- Iska matlab ye nahi ke yeh mardaun mein nahi paye jati isi wajah se
inko pahle khitaab keya gaya.
- Isi wajah se baham dostaun mein ek dosre ka tamaskhur baqa auqaat
ranjish mein tabdeel hojata hai aur dostiyan toot jati hai
- Mazaak ka waqt aur baar Mazak ka example
- Iska itlaaq ek afraad per bhi hosakta hai to ek group , ya khabiley per
bhi hosakta hai
** ab ane wale ayat mein appeal ka ek moassar andaaz bhi dekha jasakta hai
ke jin ke zaheri kamzoraiyan aur Aaib ko dekh kr mazaq uda rahe ho is shaqs
ke mutalliq tumhe kya maloom ke Allah ke zadeek wo tumse bahtar ho aur
Allah aur rasool ke mohabbat ke muzay thate maar raha hai.
** Hadees: Allah tala tumharey jism aur surtaun ko nahi dekhta wo to bus
tumharey amaal ko dekhta hai, kyon ke unke seerat aur kirdaar Allah aur
rasool ke mohabbat, itaat aur farmabaradi se labrez hai.
Hazrat Bilal:
- Unka chahra
- Aur arbi zaban ke baaz talaffuz sahin ada nahi kersakte aur baat bahot
maroof hogaye ke inse sheen bilkul ada nahi hotsakta tha aur azaan
mein “ Azaan “ seen ada hota tha.
- Leken inke dil mein Allah tala aur aakhirat ka Risalat per jo imaan tha
aur inke reshe reshe mein Allah aur uski mohabbat bhari padi thi ke
inka muqabla kaun kersakte tha.
- Hazrat omer aapko sayyidna bilal RTA kah ker khitaab kerte thay.
2. AAIB joe ke mumaniyat: Dosra Hukm
- Khud apne aapke aib chenee na keya karo
- Tang nazar rakhne wala insaan aur jiska apna zarf chota hoga aur
usmein yeh baat nazer aayegi ke wo dosraun ke aib talaash karega,
aaib cheene karega
- Aur unke kisi burai ko unke moo per marega aur dosre ke tauheen
kerne ka apna mamool banalega
- Jis ka aib nikalrahe ko Aiib laga rahe ho wo to tumhara apna musalman
bhai hai, yeh aisa ke tum apne aapko aib laga rahe ho
- Rasool Allah ne Irshad farmaya apne maa baap ko galiayan na deya
karo ke tumhara maa baap ko gali denge.
3. Buray Naam se mat pukaro
- Bure naam se pukarna, chidane wale naam _ appeal ka rang hai, baleeg aur
fasih andaaz hai
- Imaan ke baad burai ka naam bhi bura hai_ Allah ke nazadeek zalim
- Zaher ke insaan ke izzat e nafs majrooh hojata hai aur hosakta hai wo
kamzor hai uske khilaaf na khada hodakta ho
- Aur yeh amal do eentaun ke beech mein daraar dalsakta hai, us deewar ko
kam zor kersakte hai, targeeb is baat ke hai ke sare darar ko band kerdeya
karo.
** Phir Ek intehai moasar aur dil nasheen andaaz mein farmaya gaya
- “Bisal ismul fusuqu ba dal imaan”
- Imaan lane ke baad burai ka naam bhi bura hai
** Phir uske baad ek dhamki bhi hai “Wamal lam yatub fa oilaika humuz
zalimoon”
- Jo baaz nahi aayega ruju nahi karega aur Allah ke janib mein tauba
nahi karega to jana lo ke Allah ke nazdeek aisa shaks zalim hai.
- We are accountable for every deed we do in this duniya
*** Quran majeed ka yeh Andaze bayan hai ke 6 baatun ko 2 ayataun mein
taqseem kerdeya
**** 3 baatein rooh der rooh hoti hai (zaher baat hai ke tanz samne
keya jaye, taana samne deya jaye tab he uski lazzat mahsoos hoti hai
aur mazaa ata hai.
*** 3 baatein Jo dosre ayat mein aarahai hai inka irtekaab peet peche
hota hai.
ۡ “ ٰۤياَيُّهَا الَّ ِذ ۡي َن ٰا َمنُ ۡوا
اجتَنِب ُۡوا َكثِ ۡيرًا ِّم َن الظَّ ِّن
1. Zayda gumaan se bacho:-
A) Khawa ma kisi ke barein mein dil mein ek gumaan khayam kerlena
B) Koi bura khayal bitha lena
C) Apne dil mein Rai khayam kerlena
D) Ise mujhse dushmani hai jab ke koi daleel aur buniyad nahi hai
E) Kisi ke talluq se soe zann khayam kerlena
- Phir ek appeal ka andaaz dekheye irshad hua :
ّ َّض الظ
“ن َ اِ َّن بَ ۡع
- Hosakta hai ke tumhara gumaan durust ho hosakta hai ke galat bhi
- Galat Rai aur bura khayal khayam ke hai to gunah hai.
2. Tajassus ke momaniyat:- سس ُۡوا
َّ َت َج وَّ اَل
- Kisi ke toe mein rehna aur tajassus se mana keya jaraha hai
- Makkhi ke misaal- gandagi per baithti hai
- Wase he baaz past zaheniyat rakhne wale logaun ka yeh ek zauq aur
mashgala hota hai ke kisi ke toe mein lage rahein.
- Do bhai ager thik hai to kya wajah hai ? do padosi mein mohabbat ?
Miyan biwi bahot milke rehte hai ? to intezar mein rehte hai koi
iqtelaafi baat samne aayein.
- Ahadees mein nabi kareem SAWS ne yeh taleem & talqeen de ke koi
bhai ka koi aib tumharey ilm bagair intention ke aagaya to uske aib ke
parda poshi kare to Allah akhirat mein tumharey parda poshi farmaye
ga.
- Ise talememat ko apneyage to is mashare mein talluqat ke ander
barkat he barka hoge.
3. Gheebat se bachna:- ؕضا ُ َواَل َي ۡغ َتبْ ب َّۡع
ً ض ُكمۡ َب ۡع
- Is ayat mein 3 aur aakhri baat farmaye gaye ( Ayat)
- Aur ek dosre ke geebat na keya karo
- Kisi ke peet peche aur kisi ke adam maujood ge mein burai kerna
geebat hai
- Aur is irade se logaun tak iske barein mein kutch baatein pahunchana
ke logaun ke samne uske izzat au haisiyat per daag lag jaye.
- Is ayat mein geebat ke mazammat shaded andaaz mein bayan hue
“ ُؕه َم ۡي ًتا َف َك ِر ۡه ُتم ُۡوه
ِ ُيحِبُّ اَ َح ُد ُكمۡ اَ ۡن ي َّۡا ُك َل َل ۡح َم اَخ ِۡي َا
- Aur kya tum mein se koi shaqs is baat ko pasand karega ke wo apne
murda bhai ka gosh khaye aur ise to tum bahot nagawar samajhtey ho.
- Jo shaks faut ho chuka bhala wo apne difa kis tarah kare aap jahan se
chaheye is ke boti udalein.
- Is tarah jo shaqs maujood nahi wo apni izaat ke hifazat nahi kersakte.
- Jo baat aap uske barein mein bol rahe ho , hosakta hai ke uske samne
kahein to wo uske safai de sake ya wazahat ker sake ki sahi aur galat
kya hai
- Ager wo maujood nahi to yeh us tarah hai jis tarah ek laash apne
hifazat nahi kersakte
- Yeh amal is mashre ke aqlaqi dhajjiyan udadete hai aur karahiyat ke
leye murda bhai ke gosh ke misaal de gaye.
Exception:
- Baaz halat mein zahaeri halat ko dekh ker bad gumani hosakta to uski
fauran tahqeeq keya karein
- Aur isi tarah tajasus ki- hukumati mamlaat mein tahqeeq aur tafteesh
ke leye tajassus kersakte hai
- Gair mulki jasoos se bachne ke leye yeh kaam kerskate hai kyon ke yeh
mulk ke difaah aur salamati ke leye gaya amal hoga.
- Ya Shadi biyah ke mamalat mein tahqeeq aur tafteesh kersakte hai.
- Rishte tair kerna mein dariyafi mein kisi sach ka khulasa us dhaqs ke
gair mujoodgi mein kare to koi gunah nahi.
4. Allah ka Taqwa hasil kare, tauba , astaqfaar, raham kerne
رَّ ح ِۡي ٌم ٌَوا َّتقُ ۡوا هّٰللا َؕ اِنَّ هّٰللا َ َتوَّ اب