2 Sisters
*Written by Darssh Vardhan
*kahani ka backdrop pahadon par basa koi kasbaa hona chahye.
Suraj aur Sandhya bhai-bahan hain, par unke rishte bilkul bhi achchhe nahi hain. Baat yeh hai
ki Sandhya ne parivar ke viruddh jakar apne hee mohalle ke ek ladke, Arjun (ab ek dabang
contractor) se love marriage kar li thi, jis vajah se uske gharwalon ne usse rishta tod liya tha.
Ab jab Suraj aur Sandhya ke pita mar chuke hain, toh Suraj ke paas pushtaini ghar hai, magar
uski financial haalat behad khasta hai. Vahin doosri taraf, bahan Sandhya sasuraal se behad
ameer hai, phir bhi usne pehle Suraj se pita ki property mein apna hissa maanga tha, aur
nahi milne par court mein case kar diya. Isi vajah se, dono parivaron mein mel-jol nahi hai,
par ek-mohalle mein ghar hone ke karan, dono ki betiyan sath mein khela karti hain.
Ek din, Sandhya aur Arjun ki beti Riya (age 6-7 years) khelne jaati toh hai, par lout ke nahi
aati. Baat poore mohalle mein phail jaati hai. Aas-paas khojne ke baad bhi jab voh nahi milti,
toh police bulaai jaati hai. Police ko Riya ke kamre mein muwaayna karne par ahsaas hota
hai ki Riya papa ki pari hai aur kafi naazon se pali hai. Uske paas costly imported khiloune ke
sath-sath itne gahne bhi the, jitney aam tour par badi ladkiyon ke paas bhi nahi hote. Clear
tha ki papa ki jaan usme basti hai aur agar papa itna paisewala ho, toh uski beti ke naam par
usse achchhi-khaasi rakam haasil ki ja sakti hai.
Isliye, police ise kidnapping ka case maante hue, Arjun se uske dushmano ke bare mein jaan-
na chahti hai, toh Arjun bolta hai ki uski business rivalry toh kai logon se hai, par voh yaqeen
se nahi kah sakta ki aisa koun kar sakta hai. Tabhi, Sandhya dabi zubaan se Suraj par apna
shaq zaahir karti hai, par Arjun uski baat se ittefaaq nahi rakhta. Khair, police apni taiyari
mein lag jaati hai.
Police ghar ke phone ko tap karne aur caller ki location trace karne ke intezam karti hai, taaki
ransom ke liye call aane par voh apradhiyon ko dhar daboche. Par, 24 ghante beet jaane ke
baad bhi koi ransom call nahi aata, toh sabki chinta badh jaati hai.
Tabhi police ko ek aisi khabar milti hai, jo iss case ki poori disha hee badal ke rakh deti hai.
Mohalle se kuchh hee doori par ek pahadi jungle mein kisi bachchi ki laash milti hai, jiski
shinakht Riya ke tour par hoti hai. Ab kidnapping ka maamla, murder ban chukka hota hai.
Police dekhti hai ki Riya ke badan par siwaay kapdon ke aur kuchh bhi nahi hai… iska matlab
hai ki khooni ne uske gahne vagairah le liye the. Mout gala ghontkar ki gayi thi. Police ko aas-
paas chhaanbeen karne par ek saada rumaal milta hai, jise police sniffer dog ko sunghaati
hai, toh dog unhe seedha Suraj ke ghar tak le aata hai. Suraj ghar par hee hota hai. Dog us
par aakar bhounkane lagta hai. Police Suraj ko Riya ke murder ke jurm mein giraftaar kar leti
hai.
Idhar Forensics Riya ka gala ghutne se mout confirm karta hai aur uski mout ka waqt bhi usi
sham ka batata hai, jab Riya lapata hui thi. Yaani yeh kidnapping toh thi hee nahi, yeh shuru
se ek murder case hee tha.
Police aur Riya ki family, khaas tour par Sandhya ko poora yaqeen ho chukka hai ki Suraj ne
bas badla lene ke khayal se Riya ka murder kiya tha.
Par, interrogation mein Suraj jurm qubool nahi karta. Voh baar-baar yehi bolta hai ki bhale
hee Sandhya se uski na banti ho, uske sath case chal raha ho… par, phir bhi Riya uski niece
thi aur voh kabhi bhi bachche se dushmani nahi nikaal sakta. Iske alawa voh uss shaam kahin
aur hone ke saboot bhi deta hai. Police ko jaanch mein uske saare saboot sachche nikalte
hain, toh use Suraj ko chhorna padta hai.
Police ko samajh mein nahi aata ki unse galti kahan hui. Aur phir dog ne hee toh unhe suraj
tak pahunchaya tha. Kya dog se bhi galti ho sakti hai?
Khair, police phir se voh rumaal dog se sniff karaati hai, toh kutta phir se unhe Suraj ke ghar
tak le aata hai. Iss baar police gour karti hai ki dog Suraj tak nahi, balki uski beti Mona (8-9
years) tak laana chahta tha. Uss din bhi Mona, Suraj ke sath hee khadi thi, isliye unhe laga ki
dog Suraj par bhounk raha tha. Aur voh rumaal zaroor Suraj ka tha, par sardi hone ki vajah se
Mona ne naak saaf karne ke liye voh rumaal apna paas rakh liya tha.
Mona se interrogation mein yeh chounkaane wala sach baahar aata hai ki Riya ka murder
Mona ne isliye kiya tha ki voh uske imported khiloune se khelna chahti thi, par shokh bachchi
Riya usey kabhi apne khiloune chhoone tak nahi deti thi, balki usey ulta-seedha bhi bol diya
karti thi. Vaisa hee ek naya imported khilouna chhoone se mana kiya jana Mona ko itna
nagawaar guzarta hai ki voh usey bahlakar paas ke jungle le jaati hai aur khiloune ki chahat
mein uske haathon Riya ka murder ho jata hai.