Sochun to sari umr mohabbat me kat gai
Dekhun to ek shaqs bhi mera na hua
Jab bhi fursat mili hangama-e-duniya se mujhe
Meri tanhai ko bas tera pata yaad aaya ~ Aleena Itrat
Jaane kis khwab-e-parishan ka hai chakkar sara
Bikhra bikhra hua rahta hai mera ghar saara ~ Kausar Mazhari
Woh ittefaq se mil jaaye raaste mein kahin
Mujhe ye shauq musalsal safar me rakhta hai
Dil pareshan rahta hai unke liye
Ham kuch bhi nahin hai jinke liye
Jab duniya mehar ek shaqs ke paas ek na ek kaam tha, main tumne yaad kar rha tha.
Bas ab toh rahte hai aakhon mein ashq aaye hue
Zamana beet gya ham ko muskurae hue ~ Peer Naseeruddin
Dekha na hamne rashk se aghyaar ki taraf
Munh pher baithe bazm mein deewar ki taraf ~ Daag
Ab iss makaam par mera junoon aa jaye
Tujhe jo pukaarun to mere muuh se khoon aa jaye
Nikaal kar waqt iss zamane se
Chal milte hain kisi bahane se
Aakhir ko hans padenge kisi ek baat par
Rona tamam umr ka bekaar chala jaega ~ Khurshid Rizvi
Itr ki, ood ki, ambar ki, saman ki Khusboo
Sab se behtar hai magar uske badan ki Khusboo ~ Malik Zada Manzoor
Bichad ke phir milenge yakeen kitna tha
Khwaab hi tha magar haseen kitna tha
Mujhe kaha fursat main Mausam Suhana dekhu
Main aapki yaad se niklu to ye zamana dekhu
Pehle pahal ki chaah ka kije na intihaan
Aana toh seekh le abhi do chaar baar dil ~ Daag
Yu na guzregi shab-e-gham Nasir
Uske yaadon ki kahani chedo
Na jaane aur kitni roz apne ghar ka darwaza
Ham hi bahar se kholenge, ham hi andar se kholenge ~ Fehmi Badayuni
Guzar gai hai magar roz yaad aati hai
Who ik shaam jise bhoolne ki Hasrat hai
Dekho mujhe ab meri jagah se na hilana
Phir tum mujhe tarteeb se rakh kar nahi jaate
So tum mujhe hairat-zada aakhon se na dekho
Kuch log sambhal jaate hai sab marr nahi jaate
Ab talkhiyon ka saamna karne ka waqt hai
Ab umr khwab dekhne wali nahi rahi
Usse kaha tha ki logon se guftgu naa kare
Ab uske shahar ke sab log mitha bolte hain
Khuda ne chaha to wo waqt bhi jald aaega
Ham apni qabr mein aaram kar rahe honge
Haalat-e-parishan to guzar jaaegi lekin
Ahbaab ke hothon ki hassi yaad rahegi
Uski tasveer maine khenchi thi
Ab wo tasveer khenchti hai mujhe
Aisi be-faiz si bekaar si duniya me hamein
Jeena padta hai keh maaon ke kaleje naa phatein
Hansta phirte hain sar-e-bazm ana ki khatir
Warna haalat to aise hain ke roya jaae
Eh hi shaqs musibat me mere saath rha
Aur woh shaqs koi aur nahi tha main tha
Jis ki baaton ke fasaane likkhe
Usne toh kuch naa kha tha shayad ~ Ada Jafarey
Accha hai paas agar koi gham-khwaar bhi nahi
Ab mera haal laik-e-izhaar bhi nahi
Hasrat se ab nigah tarf-e-yaaar bhi nahi
Yaani ke ham mein taaqat-e-deedar bhi nahi
Muddat ke baad jo aawaz di usne
Kadmon ki kya majaal saasein bhi ruk gai
Main tabaah hu tere ishq mein
Tujhe dusron ka khyaal hai
Kuch mere maslon pe bhi gaur kar
Meri zindagi ka sawaal hai
Jinhe taqdeer rulana chahe
Unhe be-qadron se ishq ho jata hai
Juda hue hain bahut ek tum bhi sahi
Ab itni baat pe kya zindagi haraam kare
Khulus-o-mehr-o-wafa* log kar chuke hain bahut
*affection,sincerity,love,faithfulness
Mere khyaal mein ab aur koi kaam kare ~ Nasir Kazmi
Ye soch kar main umr ki unchaiyan chada
Shayad yahan shayad yahan shayad yahan hai tu
Pichle kai janam se tujhe dhund raha hu main
Jane kaha jane kaha jaane kaha hai tu
Ye jo main jehar ugalta hu
Ek naagin ko muuh lagaya tha
Ye umr bhar ki masaafat hai dil bada rakhna
Ke log milte bichadte rahenge raaste mein
Mangna jis kisi ko aaya hai
Tera darwaza khat-khataya hai
Khafa ho to phero churi gale pe
Naa phero mujhse tum apni nazar ko
Ye hami'n hai ki tera gam dil me chupa kar dil mein
Kaam duniya ke be-dastur kiye jaate hain
Dua ye ki hi nahi ke tu mera mukaddar ho
Hawa ki tarah magar saans bhar mayassar ho ~ P. Shakir
Uske yu'n tark-e-mohabbat ka sabab hoga koi
Jee nahin manta wo bewafa pahle se tha ~ P.Shakir
Kisi galii mein kiraye pe ghar liya usne
Phir uss gali mein gharo ke kiraye badhne lage
Haath mere bhool baithe dastaken dene kaa fan
Band mujhpar jab se uske ghar ka darwaza hua ~ P.Shakir
Khuda ne sabr karne ki mujhe taufeek bakshi hai
Arre jee bhar ke tadpaao shikayat kaun karta hai
Kisi ke dil ke zakhmo par marham rakhna jaroori hai
Magar iss daur mein "Mohsin" ye zehmat kaun karta hai
Zindagi ki asl haqiqat gham hai
Khushi mahaj ek waqti ehsaas hai ~ Allama Iqbal
Rago'n mein khoon ke jamne se marr gaya warna
Teri judaai ka sadma to sah gaya tha main
Aaina kahta hai... kahna to nahi chahiye tha
Tu abhi zinda hai... rahna to nahi chahiye tha
Ishq ne siikh li waqt ki taqseen ke ab
Wo mujhe yaad to aata hai magar kaam ke baad ~ P. Shakir
Ek tasveer se lagta hai ham bhi khush the
Ek aawaz se lagta hai sab accha hai
Meri duniya mein koi cheej nahi theekane pe nahi
Bas tumhe dekh ke lagta hai sab accha hai ~ Idris Babar
Mukhtalif thi humse tarz-e-zindagi uski
Maloom tha nhai milegi mohabbat uski
Ab kya batayein kitna zalil hue hain ishq mein uske
Hamein toh kha gayi nazar andaazgi uski
Ye kya ki sab se bayaan dil ki haaltein karni
"Faraz" tujhko naa aayi mohabbatein karni
Sitaare iss kadar dekhe ki aakhein bujh gai apni
Mohabbat iss qadar karli mohabbat chod di hamne ~ Shahzad Ahmad
Ye jahan "Jaun" ikk jahannum hai
Yaan khuda bhi nahi hai aane ka
Tune dekha hai kabhi ikk nazar shaam ke baad
Kitne chup-chaap se lagte hai shajar shaam ke baad
Itne chup-chaa ke raaste bhi rahenge laa-ilm
Chod jaayenge kisi roz nagar shaam ke baad ~ Farhat Abbas Shah
Uski hasrat hai jiise dil se mita bhi na sakuun
Dhundhne usko chala hu jise paa bhi na sakun ~ Ameer Minaai
Isme kusoor unka tha hi nahi
Main shayad mohabbat ke liye bana hi nahi
Dil ko uss usne azziyat bakshi
Dil ne jis jisko khuda jaana
Dekho suarj ufuuq mein dub gaya
Dhoop ikk sar se tere aur dhali
EK din uljhanon ka aur gaya
Ik kadi zindagi ki aur kati ~ Naushad
Badi hairangi hai ki saari zindagi mein bas
Tumhe hi toot kar chaha tumhe hi chaah kar toota
Raat kya hoti hai hamse puchiye
Aap to soye savera ho gya
Aaj khud ko bechne nikle the ham
Aaj hi baazaar manda ho gya ~ Madan Mohan Danish
Bada maza ho jo mahshar* mein ham kare shikwa *Day of judgement
Vo minnaton se kahe chup raho khuda ke liye ~ Daag
Jo nahi ho sake purn kaam
Main unko karta hu pranam ~ Naagarjun
Garmi-e-hasrat-e-naakam se jal jate hai
Ham charagon ki tarah shaam se jal jaate jai ~ Qateel Shifai
Aandhiyon jaao ab karo aaram
Ham khud apna diya bujha baithe
Jii to halka hua magar yaaron
Roo ke ham luft-e-gham gawa baithe ~ Khumar Barabankavi
Lab-o-lehje faqat raseele hain
Andar se log bohot zehreelay hain
Adhoora hi raha mera har safar
Kabhi raaste kho gaye kabhi hamsafar
Dil-e-naakam hai kaam kharab
Kar liya aashiqui mein naam kharab ~ Daag
Ye bhi ek rang hai shayad meri mehroomi ka
Koi hans de to mohabbat ka gumaan hota hai ~ Ghulam MD Qasir
yu'n lage dost tera mujh se khafa ho jaana
Jis tarah phool se khusboo ka juda ho jaana ~ Qateel Shifai
Qaid mein guzar gai jo umar bade kaam ki thi
Par main kya karti zanzeer tere naam ki thi ~ P.Shakir
Jaane kya rakha hai aasmano mein
Laut ke phir koi nahi aaya
Tumhari anjuman se uth ke deewane kaha jaate
Jo wabasta hue tumse woh afsaane kaha jaate
"Qateel" apna mukaddar gham se begaana agar naa hota
Toh phir apne paraye hamse pahchane kaha jaate
Tumne pucha nahi kabhi sabab udaasi ka
Ikk sabab ye bhi hai meri udaasi kaa
Dil ko teri hi tamanna dil ko hai tujhse hi pyaar
Chahe tu aaye naa aaye ham karenge intezaar ~ Shailendra
Samne manzil thi aur piche uski aawaz
Rukta to safar jaata chalta toh bichad jaata
Saza aisi mili mujhko zakhm aise lage dil par
Chupata toh jigar jaata sunaata toh bikhar jaata
Jinse milkar zindagi se ishq ho jaaye wo log
Aapne shayad naa dekhe ho magar aise bhi hain ~ Suroor Barabankavi
Girte hain sazdon mein ham apni hasraton ki khatir "Iqbaal"
Agar girte sirf ishq-e-khuda mein toh koi hasrat adhoori naa rahti
Tera milna aise hota hai
Jaise koi hatheli par ek waqt ki roti rakh de ~ Amrita Pritam
Din guzarta nahi logon mein
Raat hoti nahi basar tanha
Hamne darwaaze tak to dekha tha
Phir naa jane gaye kidhar tanha
Agar ham kahe aur wo muskura dein
Ham unke liye zindagaani lutaa dein
Saza de sila dein bana de mita dein
Magar wo koi faisla toh suna dein ~ Sudharshan Faraz
Unke andaaz-e-karam unpe wo aana dil ka
Haaye wo waqt woh baatein wo zamana dil ka
Dillagi dil ki lagi ban ke mita deti hai
Rog dushman ko bhi yaa rabb naa lagana dil ka ~ Pir Naseer
Jab unse meri pahli mulaakaat hui thi
Uss din se hi qayamant ki suruaat hui thi ~ Pir Naseer
Rang laaye shamm-e-furqat aur bhi
Hai mujhe gham ki jarurat aur bhi ~ Pir Naseer
Saikdo be-qaraar phirte hain
Taalib-e-wasl-e-qaraar phirte hai
Aye "Naseer" unki chah mein laakho
Kho ke sabr-o-qaraar phirte hain
Ham toh samjhe the ke barsaat mein barsegi saraab
Aai barsaat toh barsaat ne dil tod diya
Wo mire hain mujhe mil jaenge aa jaenge
Aise bekaae khayalaaton ne dil tod diya ~ Sudarshan Fakir
Gar zindagi mein mil gaye phir ittefaq se
Puchenge apna haal teri bebasi se ham ~ Sahir
Koi rukta hi nhi iski tasalli ke liye
Dekhta rhta hai dil har ajnabi mehmaan ko
Ab to ye kisi bhi kaam aa sakta nahi
Aap hi le jaiye mere dil-e-nadaan ko ~ Zeeshan Sahil
Itna bhi na-umeed dil-e-kam-nazar naa ho
Mumkin nahi ke shaam-e-alam ki shahr naa ho ~ Naresh kumar shad
Ye raat ki khamoshi ye alam-e-tanhai
Phir dard utha dil mein phir yaad teri aai
Wo ham se khafa hain ham unse khafa hai
Magar unse baat karne ko jee chahta hai ~ Shakeel Badayuni
Aawaz deke dekh lo shayad wo mil hi jaaye
Warna ye umr bhar ka safar raaegaan to hai ~ Muneer Niyazi
Uss roz jab tum angdaai lekar muskuraai thi
Hamein sambhalne poori mahfil uth aai thi
Ye dukh nahi ke andhroon se sulah ki hamne
Malal ye hai ke abb subah ki talab bhi nahi ~ P.Shakir
Umeed-e-purshish-e-gham* kis se kijiye "Nasir" *hope of being asked about grief
Jo apne dil pe guzarti hai koi kya jaaane
Hashr ke din to miloge kiya maine sawaal
Soch kar der mein zaalim ne kaha mushkil hai ~ Daag
Ye aur baat hai wo nibha naa saka "mohsin"
Jo kiye the usne waade ghazab kiye the
Waaston par hudood rakhni thi
Raaboton ko bhi kam badhana tha
Aapse dil laga ke yaad aaya
Aapse dil nahiin lagana tha ~ Arslan Abbas
Ye shahar chodna hai magar iss se peshtar
Uss bewafa ko ikk nazar dekhna bhi hai ~ Rana MD Yusuf
Kuch baatein ankahi rahne do
Kuch baatein ansuni rahne do
Sab baatein dil ki kah di agar...Phir baaki kya rah jaega
Sab baatein uski sun li agar...Phir baaki kya rah jaega ~ Muneer Niyazi
Maine chaha tha zakhm bhar jaayein
Zakhm hi zakhm bhar aye mujhme ~ Ammar Iqbal
Mere haathon ki lakeeron mein ye aib chupa hai "Mohsin"
Main jis shaks ko chu lun wo mera nahi rahta
Khud-bakhud chod gaye hain to chalo theek hua
Itne ahbaab* kahan hamse sambhale jaate * friends
Ham bhi Ghalib ki tarah kucha-e-jaana se
Naa nikalte to kisi roz nikaale jaate ~ Mohsin Naqvi
Usse milna toh khair naseebon ki baat hai
Usse dekhe hue bhi ek zamana guzar gaya
Ugg aai hai ghaas ghar ki dehleez par
Apnon ko aaaye hue ek arsa guzar gaya
Tune kaha naa tha ki main kasti pe bojh hun
Aakhon ko abb naa dhaap mujhe doobte bhi dekh ~ Shakeb Jalali
Kis kadar udaas guzri hai meri shaamein
Kisi shaam kisi ko yaad kar ke dekhna
Maut aa jaye yaa khuda
Dil naa aaye kisi pe
Chand khwabon ki baat thi maula
Pure hote toh kya qayamat hoti
Muddat hui ek shaka ne dil tod diya tha
Iss waaste apno se mohabbat nahi karte ~ Saqi Farooqi
Uski tees nahi jaati saari umar
Pahla dhoka pahla dhoka hota hai ~ Shariq kaifi
Sitam kiya toh mere dil ki aarzu ne kiya
Majaal hai ye kahu tujhse jo tu ne kiya
Uss jafa par ye wafa hai ke tumhara shikwa
Dil mein rahne naa diya muuh se nikalne naa diya ~ Daag
Kai ajnabi teri raah mein mere paas se yun guzar gaye
Jinhe dekh kar ye tadap hui tera naam le ke pukaar lu ~ Bashir Badr
Aai hai kuch naa puch qayamat kahan kahan
Uff le gai hai mujhko mohabbat kahan kahan
Daanista hamne apne sabhi gham chupa liye
Poocha jo kisi ne haal apna to bas muskura diye ~ Aafaque Siddiqui
Meri udaasiyan tumhe kaise nazar aaengi
Tumhe dekh kar toh ham muskurane lagte hain
Sau sau janam pratiksha kar lun
Priye milne kaa wachan bharo toh ~ Bharat Bhusan
Vo zamana nazar nahi aata
Kuch thikana nazar nahi aata
Jaaan jaati dikhai deti hai
Unka aana nazar nahin aata ~ Daag
Dil rahin-e-gham-jahan* hai aaj *surrounded by the sorrows of the
world
Har nafas* tishna-e-fughan* hai aaj *moment *longing of pain and sorrow
Sakht viraan hai mahfil-e-hasti* *assembly of life
Aye gham-e-dost tu kahan hai aaj ~Faiz
Aur kya dekhne ko baaki hai
Aapse dil laga ke dekh liya ~ Faiz
Ikk parinda abhi udaan mein hai
Teer har shaka ki kamaan mein hai
Utho ye manjar-e-shabtab dekhne ke liye
Ki nind shart nahi khwaab dekhne ke liye ~ Irfaan Siddqui
Wo sawarte hain mujhe iski hai fikr
Aarzu kiski nikaali jaaegi
Dil liya pahli nazar mein aapne
Ab adaa koi naa khali jaaegi ~ Jalil Manikpuri
Aksar woh kahte hain wo bas mere hain
Aksar kyu kahte hain hairat hoti hai
Tab ham dono waqt chura kar laate the
Ab milte hain jab bhi fursat hoti hai ~ Javed akhtar
Aakhon se teri zulfon kaa saaya nahi jaata
Aaram jo dekha hai wo bhulaya nahi jaata
Bole koi hans kar toh chidak dete hain jaan bhi
Lekin koi ruthe toh manaya nahi jaata ~ Abdul Hamid Adam
Tu chod raha hai toh khata isme teri kya
Har skaks mera saath nibha bhi nahi sakta
Waise toh ikk aansu hi baha kar mujhe le jaaye
Aise koi tufaan hila bhi nahi sakta ~ Wasim Barelvi
"Muneer" accha nahi lagta ye tera
Kisi ke hijr mein bimaar hona
Khud-kushi zurm bhi hai Sabr ki tauheen bhi hai
Isiliye ishq mein marr-marr ke jiya jaata hai ~ Ibrat Siddiqui
Koi zamane mein nahi jispe ho tera aks bhi
Kis se misaal du teri milti nahi misaal bhi
Laut aao na kisi roz aye jaane waalo
Ham gham-e-hijr chupate hue thak jaate hain
Zindagi aur tera karz chukaye kab tak
Abb toh ham sher sunaate hue bhi thak jaate hain ~ Mubarik Siddiqui
Ham wo siyaah nasib hai "Tariq" ke sahar mein
Khole dukaan kafan ki to sab marna chod dein
Mahool hai kuch aur fizaa aur hi kuch hai
Yak-tarfa mohabbat ka maza aur hi kuch hai ~ Zafar Iqbaal
Ham samajhte the ki ham kahte hain
Sher to asl mein gham kahte hain
Tamam umr ki aawargi pe bhari hai
Wo ek shab jo teri yaad mein guzaari hai
Hoshiyaari dil-e-nadaan bahut karta hai
Ranj kam sahta hai ailaan bahut karta hai
Na-ummeedi maut se kahti hai apna kaam kar
Aas kahti hai khat ka jawaab aane hi wala hai
Dukh dard mein hamesha nikaale tumhare khat
Aur mil gai khushi to ucchale tumhare khat
Jaise ho umr bhar ka asasa garib ka
Kuch iss tarah se maine sambhale tumhare khat
Mohabbatein na bhula meri na taveel hijr ki raat kar
Kabhi bhool kar ye adaavatein kisi shaam aa koi baat kar
Haal kis'se kahun ke har koi yahan apni apni sunaye jaata hai
Kya khabar kaun si khushi ke liye dil yunhi din gawae jaata hai
Yahi bahut hai ki tum dekhte hosahil se
Safina duub raha hai to koi baat nahi ~ Raaz Allahabadi
Gun-gunaate raaston ki dilkashi apni jagah
Aur sab ke darmiyan teri kami apni jagah ~ Anwar Shuoor
Ek hi tamasha hai ek hi tamashai
Rooh kaap jati hai wo bala hai tanhai ~ Abbas Qamar
Tujhko lekar mera khayaal nahi badlega
Saal badlega magar dil ka haal nahi badlega
Khatam hone ko hai safar shayad
Phir milenge kabhi magar shayad
Mehfilon mein baith kar doston ke darmiyaan
Goonjti rahi hassi dil udaas tha magar
Hazaaron mashgale hain jo mujhe masroof rakhte hain
Magar "Mohsin" wo aisa hai ke phir bhi yaad aata hai
Wo bewafa hi sahi aao usko yaad kare
Ki ekk umr padi hai usse bhulane ko
Waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nhi
Usko ham kya khoenge jisko kabhi paaya hi nahi ~ P.Shakir
Gham sahte sahte muddat tak aesi bhi haalat hoti hai
Aakhon me ashk umadte hain rone se nafrat hoti hai
Jab ranj zamana deta hai ham maut ko daawat dete hain
Phir tum kyu yaad aa jaate ho jiine ki tabiyat hoti hai ~ Jigar Barelvi
Jinhe maanta hi nahi ye dil wohi log mere hain hamsafar
Mujhe har tarah se jo raas the wohi log mujhse bichad gaye ~ Aitbaar Sajid
Apni majboori ko ham deewar-o-dar kahne lage
Qaid ka saaman kiya aur usko ghar kahne lage
Tiktiki baandh ke main dekh raha hu jisko
Ye bhi ho sakta hai wo samne baitha hi na ho
Dayaar-e-khwaab tha tum the tamam duniya thi
Kisi ne aake jagaya to main akela tha
Kahan se aai hai aakhir teri talab mujh mein
Mujhe khuda ne banaya tha to main akela tha
Ham bhi kya zindagi guzar gaye
Dil ki baazi laga ke haar gaye
Maut se kab the marne wale ham
Bol teri zubaan ke maar gaye ~ Md. Azam Chisti
Haseenon ki bazm mein agar zikr tumhara naa aaye
Tauheen-e-husn ho jaaye tauheen-e-bazm ho jaaye
Har tamanna dil se rukhsat ho gai
Lijie fursat hi fursat ho gai ~ Neena Sahar
Paani aankh me bhar kar laya jaa sakta hai
Abb bhi jalta sahar bachaya jaa sakta hai
Ek mohabbat aur wo bhi na-kaam mohabbat
Lekin isse kaam chalaya ja sakta hai ~ Abbas Tabish
Marr agye jin ke chahne wale
Unn hasino ki zindagi kya hai ~ Sagar Siddiqui
Teri khusboo se jo waaqif nahi hai
Wo phoolon se guzara kar rahe hain ~ Fehmi Badayuni
Dil-e-barbaad ko barbaad kahan tak rakhte
Jaane wale ham tumhe yaad kaha tak rakhte ~ Amjab Majeed
Kaati hai jis ke khayalon mein umr apni "Muneer"
Maza to tab hai ke uss shokh ko pata hi na ho
Ye gham nahi ke gham saha nahi jaata
Sitam ye ke kisi se kaha nahi jaata
Umeed-e-yaar nazar ka mizaz dard ka rang
Tum aaj kuch bhi naa pucho ke dil udaas bahut hai ~ Faiz
Rasm-e-duniya bhi wahi raah-e-tamaanna bhi wahi
Wahi mil baith ke hasna wahi tanha rona ~ Ahamd Mustaq
Khwaabon ke aasray pe bahut din jiye ho tum
Shayad ye hi sabab hai ke tanha rahe ho tum ~ Salman Akhtar
Naaz kya ispe jo badla hai zamane ne tumhe
Mard hain wo jo zamane ko badal dete hain ~ Akbar Allahabadi
Jitna kam saman rahega
Utna safar aasan rahga ~ Gopaldas Neeraj
Tumpe marne se kahi behtar tha
Ham kisi haadse mein marr jate
Haseeno ne bewafaon ne paarsaao* ne murshad* *Religious women *Spiritual
teacher
Aisa hijr ataa kiya ke wasl bardaast na kar sake
Nahi nigaah mein manzil to justju hi sahi
Nahi wisaal mayassar toh aarzu hi sahi ~ Faiz
Gairon se kaha tumne gairon se suna tumne
Kuch hamse kaha hota kuch hamse suna hota
Badla tere sitam ka koi tujhse kya kare
Apna hi tu farefta howe khuda kare ~ Md. Rafi Sauda
Ye bhi nahi ki mere bulaane se aa gya
Jab rah nahi saka bahane se aa gya
Main aur usko bhoolun "Nasir" kaisi baatein karte ho
Surat toh phir surat hai woh naam bhi pyaara lagta hai
Unka zikr unki tamanna unki yaad
Waqt kitna qeemati hai aj kal ~ Shakeel Badayuni
Gumaan nahi hai yakeen hai mera yakeen karo
Koi kisi ka nahi hai mera yakeen karo
Ab teri aarzu kaha mujhko
Main teri baat bhi nahi karta
Aaina dekh ke kahte hain savarne waale
Aaj be-maut marenge mere marne wale ~ Daag
Ham to samajhte the ek jakhm hai bhar jaaega
Kya khabar thi ke rag-e-jaan mein utar jaaega ~P.Shakir
Saari khusiyan mila kar dekha hai
Tere jaane ka gham jyada hai ~ Khalid Nadeem
Ye kab kahti hun tum mere gale ka haar ho jaao
Wahi se laut jaana tum jaha se bezaar ho jaao ~ P.Shakir
Tujh par ab alfaaz nahi waarenge
Tujhe abb khamoshi se marenge
Ye fard-e-zurm hai mujh par ke uss se pyaar karta hun
Main filhaal toh iss iljaam se inkaar karta hun
Mehmaan rahe toh honge ham uss dil mein chaar din
Lekin wahan hamari hukumat kabhi nahi
Iss aqeedat se kahi badh kar aqeedat hoti
Tu agar dost naa hoti tu mohabbat hoti ~ Saawan Shukla
Aaja ke abhi zabt ka mausam nahi guzra
Aaja ke pahadon pe abhi barf jami hai
Khusboo ke jazeeron se sitaaron ki hadon tak
Iss sahar mein sab kuch hai bas teri kami hai ~ Mohsin Naqvi
Sham-e-firaq ab naa puch aai aur aa ke tal gayi
Dil tha ke phir bahal gaya jaan thi ke phir sambhal gayi ~ Faiz
Kahan se laau itna sabr
Tum thoda mil kyu nahi jaate
Teri umeed tera intezaar jab se hai
Naa shab ko din se shiqayat na din ko shab se hai ~ Faiz
Bazm-e-khayal mein tere husn ki shamma jal gayi
Dard ka chaand bujh gaya hijr ki raat dhal gayi ~ Faiz
Itne zaalim naa bano kuch to murrawat seekho "Ghalib"
Tum par marte hain toh kya maar hi daaloge hamein
Tujhko dekha to sher-chasm* hue *amusement of eyes
Tujhko chaha toh aur chaah naa ki
Tere dast-e-sitam ka ijj* nahi *softness
Dil hi kaafir tha jisne aah naa ki ~ Faiz
Dhundhoge agar mulkon mulkon
Milne ke nahi naayab hain ham
Tabeer hai jiski hasrat-o-gham
Aye ham-nafso woh khwaab hain ham ~ Shad Azeem Abadi
Kabhi kabhi teri be-niyaazi* se khauf kha kar *to not desire something
anymore
Sochta hu ke tu mera intekhaab* kyu hai *selection, choice
Ye jo chehre se tumhe lagte hain beemar se ham
Khuub roye hain lipat kar dar-o-deewar se ham
Ham huye tum hue ki "Meer" hue
Uski zulfon ke sab aseer hue
Ab kis se kahe aur kaun sune
Jo haal tumhaare baad hua
Iss dil ki jheel si aakhon mein
Ikk khwaab bahut barbaad hua ~ Nohsi Gilani
Zikr uss parii-vash* ka *angle faced
Aur phir bayaan apna
Ban gaya rakib aakhir
Tha jo raazdaa.n* apna * who knows your secrets
Ilm hai jaavedaan aur husn hai faani jaana
Tum aaina kam dekho aur padho kitaaben jyada
Gham-e-khaas par kabhi chup rahe
Kabhi roo diye gham-e-aam par
Hai "Muneer" hairat-e-mustakil
Main khada hu aise makaam par
Gham-e-zahaan ho rukh-e-yaar ho ke dast-e-adu
Salook jis se kiya hai hamne aashiqana kiya ~ Faiz
Yeh inaayatein gazab ki ye bala ki meharbaani
Meri khairiyat bhi puchi kisi aur ki zabaani
Hujum-e-gham mein bhi toheen-e-zabt-e-gham na hui
Iss ehtiyaat se roye ke aankh nam naa hui ~Mirza Ghalib
Koi baat to hai usme "Faiz"
Har khushi jispar luta di hamne
Ham tere hote hue bhi tanha the
Ham teri dosti naa bhoolenge
Bichad ke tujhse kisi dusre pe marna hai
Ye tajraba bhi issi zindagi me karna hai ~ Asad Badayuni
Ye jo umr se pahle zawaal hai
Tere hijr kaa hi to kamaal hai ~Zyesha Usmaan
Wo ikk jhalak dikha ke jidhar se nikal gaya
Itni tapish badhi ki zamana pighal gaya ~ Zaheer Kashmiri
Main toh phir bhi hans leta hu "Nasir"
Dil magar udaas rahta hai
Aah jo dil se nikaali jaegi
Kya samajhte ho khaali jaaegi
Unn aakhon me daal kar aakhein uss raat
Main dooba to mil gaye doobe hue jahaaj
Ab sochte hain laaenge tujh saa kahan se ham
Uthne ko uth toh aaye tire aastaan se ham ~ Majrooh Sultanpuri
Ye aansu be-sabab jaari nahi hai
Mujhe rone ki bimaari nahi hai ~Kaleem Aajiz
Daim pada hua tere dar par nahi hu main
Chuu kar mujhe bhi dekh ki khanjar nahi hu main ~Rashik Shahid
Bahut se dard to ham baant bhi nahi sakte
Bahut se bojh akele uthaane padte hain
Ye baat us se pata kar jo ishq jaanta ho
Palon ki raah mein kitne zamane padte hain ~ Moin Shadab
Yun tassali de rahe hai ham dil-e-bimaar ko
Jis tarah thaame koi girti hui deewar ko
Tire vaadoon pe kahan tak mera dil fareb khaae
Koi aisa kar bahana miri aas tuut jaae
Hamko kisi ke husn ne shayar bana diya
Hothon ka naam le naa sake jaam likh diya
Bikhri padi thi toot ke kaliyan zameen par
Tarteeb deke maine tera naam likh diya
Kahin kahin se har chehra tumhare jaisa lagta hai
Tumko bhool naa paenge ham aisa lagta hai
Sab kahte hain shayari karta hun
Main baat tumhari karta hu
Maine jab likhna sikha tha
Sabse pahle tera naam likha tha ~ Nasir Kazmi
Kal tadapna pade yaad me jinki
Rok lo ruuth kar unhein jaaney naa do
Izzat wizzat ana wana
Ye khayaal zehan me aae gaye
Sau baar ussi dar pe laute
Sau baar jahan thukaraye gaye
Wo aadmi hai rang ka khusboo ka roop ka
kaise mukaabla kare din bhar ki dhoop ka
Mere rone ka jisme kissa hai
Umr ka behtareen hissa hai
Jhoothi duaaein bheji jhoote salam likhe
Unki taraf se hamne khat apne naam likhe
Ham par ka dukh ka parbat tuta tab hamne do char kahe
Uss pe bhala kya beeti hogi jisne sher hazar kahe
Ab ana ka bhi hame paas nahi
Wo bulata nahi magar jaate hain
Waqt se puch raha hai koi
Zakhm kya waakai bhar jaate hain
Ye sunn ke ajab shor koi dil mein hota hai
Ke abb tere kamre me aur koi hota hai
Bahut se log hain jo bol bhi nahi paate
Main apne aap ko izhaar tak to le aaya
Khana kha kar paidal utna chalta tha
Jitne ghante call hamara chalta tha
Tum mere saath ho ye sach to nahi hai lekin
Main agar jhooth na bolu toh akela pad jaau
Tum jo hote to hamein kitna sahara hota
Hamne auron ko naa yun pukara hota ~ Farhat Abbas
Tu bin bataye mujhe le chal kahin
Jahan tu muskurae meri manzil wahi
Adaakari bahut dukh de rahi hai
Main sach much muskurana chahte hun
Rasm-e-ulfat hi izzat nahi deti warna
Ham bhi aisa tumhe bhoole ki sadaa yaad karo
Mudatton ke baad uss la-parwah se
Haal puch kar wahi haal kar diya
Batau kya tujhe ai ham-nashi kis se mohabbat hai
Main jis duniya mein rahta hu wo iss duniya ki aurat hai
Ye udaasi ye phailte saaye
Ham tuje yaad kar ke pachtaye ~ Zehra Nigaah
Uski tees nahi jaati saari umar
Pahla dhoka pahla dhoka hota hai
Maut ka bhi ilaaj ho sayad
Zindagi ka koi ilaaj nahi
Aaj bahut hai paani barsa
Aaj badi tanhai hai
Aise mein kyu jaan-e-tamanna
Yaad tumhari aai hai
Tum mujhe bhool bhi jao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ko hai ~ Sahir
Main ghar mein ek kamra rakhunga
Dunga naam tera aur usse tanha rakhunga
Hawa chal rahi hai udaa ja raha hu
Tere ishq me main mara jaa raha hu ~ Bashir
Patthar mujhe kahta hai mera chahne wala
Main mom hu usne mujhe chuu kar nahi dekha ~ Bashir
Bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
Wo mere saath raha aur mujhe naa mila
Khuda ki itni badi qayanat me maine
Bss ek shaks ko manga mujhe wahi na mila ~ Bashir
Ikk tahni par chaand tika tha
Main ye smajha tum baithe ho
Ujle ujle phool khile the
Bilkul jaise tum haste ho
Mujhko shaam bata deti hai
Tum kaise kapde pahne ho ~ Bashir
Zara hasso ki yahi dhoop phool barsaye
Tumhe khabar nahi tum kitni khoobsurat ho
main tumko dhund raha hu hazar janmon se
Milo milo na milo tum meri amanat ho ~ Bashir
Ye kasak dil hi dil mein chubhi rah gayi
Zindagi mein tumhari kami rah gai
Raat ki bheggi bheegi chaton ki tarah
Meri palkon pe thodi nami rah gayi ~ Bashir
Main har haal me muskurataa rahunga
Tumhari mohabbat agar saath hogi ~ Bashir
Ghazalon ka hunar apni aakhon ko sikhayenge
Royenge bahut lekin aasu nahi aaenge
Jab saath naaa de koi aawaz hame dena
Ham phool sahi lekin patthar bhi utaaenge ~ Bashir
Sher mere kahan the kisi ke liye
Maine sab kuch likha hai tumhare liye
Shahar me abb mera koi dushman nahi
Sabko apna liya maine tere liye ~ Bashir
Main jab soo jaun inn aakhon pe apne hooth rakh dena
Yakin aa jaega palkon tale bhi dil dhadakta hai
Kabhi main apne haathon ki lakeeron se nahi uljha
Mujhe maalum hai kismat ka likha bhi badalta hai ~ Bashir
Tum meri zindagi ho ye sach hai
Zindagi ka magar bharosa kya
Kaam ki puchte ho gar sahab
Aashiqui ke alawa pesha kya ~ Bashir
Wo lab hain ki doo misre aur dono barabar
Zulfen ki dil-e-shayar pe chaai hui ghazlen
Uss jaan-e-taggazul ne jab bhi kaha kuch kahiye
Main bhool gaya yaad aai hui ghazlen ~ Bashir
Uski bhi majbooriyan hain meri bhi majbooriyan hain
Roj milte hain magar ghar me bata nahi sakte
Dene wale ne diya sab kuch ajab andaaz mein
Samne duniya padi hai aur utha nahi sakte ~ Bashir
Iss sahar me ek ladki bilkul hai ghazal jaisi
Bijli si ghataaon mein khusboo si hawaon mein ~ Bashir
Ab tere mere bich koi faasla bhi ho
Ham log jab mile toh koi dusra bhi ho
Uske liye maine yaha tak duaaein ki
Meri tarah se koi usse chahta bhi ho ~ Bashir
Tere siwa bhi kayi rang khush nazar the magar
Jo tujhko dekh chuka ho wo aur kya dekhe ~ P.Shakir
Bandh gayi thi dil mein kuch ummed si
Khair tum ne jo kiya accha kiya ~ Javed Akhtar
Ab mera dhyaan kahin aur chala jata hai
Ab koi film mukammal nahi dekhi jaati ~ Jawad Sheikh
Waqt-e-piri doston ki berukhi ka kya gila
Bach ke chalte hain sabhi girti hui deewar se ~ Firaq
Shaks accha tha magar uski rifaaqat ne 'Munir'
Wqat se pahle kiya umr-raseeda* mujhko *aged
Galat nikle sab andaaze hamare
Ke din aaye nahi acche hamare
Agar ham par yakeen aata nahin to
Kahin lagwalo angoothe hamare. ~ Tehzeeb hafi