Pachtava
A drama presented by Roll no. 1-4
Key words for characters-
Pandit Durganath – 1
Job Offerer – 2
Kuwar Vishal Singh (KVS)– 3
KVS ‘s assistant - 4
Script –
(Akshaj - Suprabhat!
Rest three of us – Suprabhat!
Akshaj – Aaye dekhte hai aaj ek natak jiska naam hai-
Eveyone - Pachtava )
1 – Aaj college khatam ho gaya hai. Ab Naukri dhoondhni hai. Maa
ne kaha tha ki ek baar Naukri aur lag jaaye fir to aish hi aish hai.
He prabhu! Mujhe ek sadharan aur sukhi Naukri chayiye!
2- Are bhaisaab! Are bhaisaab! Ye lijiye.
1- Arre bhaisaab ye kya hai?
Jalebi company me clerk ki jagah khali?
Kaam to chal jayega parantu….. samaj se sambandh
khodunga.
2- Are hamre ho hote hue chinta kai baat ki? Ye lijiye.
1- Vakalat ki post khali? Hmm… is me dono baate sambhav to hai
kintu apne aap ko Pavitra Rakha ….asaan na hoga.
2- Accha aisi baat hai? Ye lijiye .
1- Pulis vibhag me deen-palis ki avashyakta…(charater is
thinking).ek svatantra aur sadvichar wale vyakti ke lie vaha ki
hawa hanirak hai.
2- Bhaisahab! Aapko mana karne ki bimari hai aap doctor ko
dikhvaiye.
1- Chal bhap! Jaa yaha se
(thinking for 5 seconds)(we will show day and night pass by)
Arre ha! Mujhe kisi zamindaar ke yaha mukh/tar/am ban jana
chayiye! Apne gaav me KVS ji hai ….. sampattishaali hai aur kya
chayiye? Mai unse jaake baat karta hu.
(1 KVS ke ghar jaata hai.)
1- Andar aa sakta hu kya Zamindar sahab?
3 – bhayo kon se? jaannu ke kya tanne? (character is rajasthan)
1- Namaskar zamindaar sahab! Mai Pandit Durganath. Abhi abhi
graduation ki degree leta aa raha hu. Aapke yaha Naukri ki asha
lekar aaya hu. Mere liye koi vishesh sthan ki bhi zaroorat nhi.mai
har ek kaam kar sakta hu. Aap gaav ke akele aadmi hai joraiis bhi
hai aur dayalu bhi, isliye aaya hu.
3 – Yu baat to tane sahi kehi.
4 – Sahi kehi. Sahi kehi.
3 - Raees ke yaha Naukri - naukri na, rajya hove se.. Ek zamindar
ke thaath – baath aur hakoomat kisi chote raja se kam na hove.
1- Zamindaar sahab! Mai thagne wale logon me se nahi hu. Mai ek
sadaharan aur sukhpoorvak jeevan jeene ki iccha rakhta hu.
Magar itne vetan me mera kaam na chalega…Yadi sacche naukar
ko samman milna nishchit hai to mujhe vishvas hai ki aap mujhse
prasann honge.
3 – Imandaar aadmi ka samman to hove hai, lekin bhai...mere yaha
tankhvah na badhti su.
1- Imaandar aadmi ko kaam pe rakhna acchi baat hai zamindaar
sahab! Lekin use kam tankhvah dena , ye toh sahi nahi hai! Mai
aapko saste me na milunga!
4– Seth ji aapke yaha Adalat – kacheri chalti rehve su. Rupiye to
angreji kagajo ke anuvad me kharch me nipat te re
3- To?
4 - ….ek angezi ka pandit saamne hi mil rha to burai ke hai? Vapro
vapro seth ji isse vapro! (Vapro – rakh lo)
3 – dekho bhayo! Satyavadi chhore ko kitna bhi paisa de diya jaaye
, veh apni sacchai to nahi chodta nah ai na. Sacchai ka paiso se koi
sambandh na hai. Lekin , sirf thaare liye mai thaare ko 20 rupiye masik
par Naukri doonga aur aapko ilake ka adhikaari bhi bana devanga.
1- Dhanyawad zamindar sahab!
3 talking to 4- Lekin isse kis ilake ka adhikaari banau ?
2- Seth ji ! Seth ji! (2 comes and runs around the whole stage then
come and sits near 3)
Chandpar ka jo karinda tha na jisse aap bohot kaam karwate the
aur use tankhvah dene ke naam par chillate the? Vo Naukri chod
ke bhag gaya! Naya chora chayiye hoga!
1- Zamindar sahab?(shocked)
(2 puts hand over 2’s mouth and scolds)
3 – Cheenkh cheenkh ke sab to dhanda bata de! Iski badli vahi
kar dunga.
2- Seth ji ! aap itna samajhdaar kaise ho?
3- Mai aaap ni akal chalau su , pradashan na karu su
(now 3 is speaking to 1)
Bhaya kal se aa jaaye
1- Ji zamindaar sahab!