Script
Scene 1
At school
Medhashree - students your answer sheets have been corrected come & take
Svarali good job
Jobern nice improvement
Ujjwal well done full marks
Pratibha you did well this time keep it up
Arnav , what is this Arnav ? look at your marks ! What happened to you ?
Arnav- ma’am but I really tried my best this time
Medhashree- but it doesn't look like it . you need to work harder
Look at your friends, such a brilliant result they got and you …..
These kinds of marks won’t get you anywhere . do you understand
Arnav - yes ma’am
Scene2
At home
Dinesh - aa gaya , paper mile
Arnav - haa ye rahe
Dinesh ye kya itne kam number kya kar rakha hai
Arnav- papa maine bohot mehnat ki thi but paper tough tha
Dinesh - bahane mat bana, har baar yahi bolta hai
Itne paise laga rahe hai tujhe padhane ke liye school mein tuition mein aur ye
number laa raha hai
Sharma ji ki beti ko dekh top karti hai tuition bhi nhi jaati aur tuu
Pata nhi kya hoga tera
Sambhal ja nhi to…..
Scene 3
After tuition
Navneet- yaar parso fir se test hai tuition mein
Aditya - kisi ne padha kuch
Neel - nhi yaar
Vishesh - aaj ye arnav itna shant kyu hai ? kya hua bhai ?
Arnav - kuch nhi yaar
Piyush - bol na
Arnav- arey bas wo aaj paper mile na to usi ke baare mein soch raha hu
Itni mehnat ki thi fir bhi kam number aaye
Neel- areey kuch nhi hota
Accha chal tera mood theek karte hai , kya bolte ho
Piyush- ha tu chal humare saath
Arnav - nhi yaar mujhe nhi jana
Vishesh areyy chal to sahi dekh kaise tera sara stress door karte hai
Tum log bhi chalo
Aditya - kaha jaa rahe ho batao to sahi
Neel- aaj tumhe kuch naya try karate hai
Navneet - arey par kya
Piyush - drugs
Arnav - pagal ho gaye ho
Nhi nhi bilkul nhi
Aur tum log ye sab kab se kar rahe ho
Vishesh-wo chod tu
pata hai bohot mazaa ata hai
chalna 1 bar try to karke dekh
Piyush - ha bhai dekhna issey tu ekdum relax ho jaayega
Navneet - nhi bhai ye galat hai mai nhi aa raha
Aditya - ha mai bhi nhi aaunga
Aur arnav tu bhi mat ja
Ye sab to pagal ho gaye hai
Neel- areey kuch bhi , chalo to sahi 1 baar karne mein kya proplem hai
Vishesh - hamesha padhai mein ghussa rehta hai
Thoda life bhi enjoy karle thoda fun to chalta hai
Navneet- parents ko pata chala to
Nhi arnav ghar chal tu
Vishesh - kisi ko kuch pata nhi chalega
Hum hai na aur kaunsa roz-roz karne ko bol rahe hai
Dekhna tujhe bohot achha feel hoga
Arnav- sahi mei
Piyush- aur nhi to kya
Aditya - na bhai hum to ghar ja rahe hai
Arnav- ek bar try to karte hai
Navneet - hum to nhi aayenge tujhe jana hai to ja
Scene 4
Medhasree- arnav you failed in exams and your marks are falling drastically
What is this
Arnav-2 hi subject mein hi to fail hua hu
Medhashree- what ? and what is this behavior ? let me call your father
Dinesh - 2 subject mein fail ho gaya hai kuch samajh raha hai
Aur kya kiya tune school mein aise baat karte hai teacher se
Halat dekh apni kya kar rakha hai sudhar aj
Navneet - arnav tu ye galat kar rahe hai
Arnav- chup rahe tu
Navneet - abhi bhi time hai sambhal ja -
Arnav- tereko ek baar mein samajh nhi aata