Tu sham-e-risaalat he, alam tera parwaana
Tu maa he nabuwwat he, e jalwa-e-jaana na
You are the torch of Prophethood, the universe your ardent devotees.
You are the bright moon of Nabuwwat, manifestation of the Beloved.
Jo saaki-e-kauthar ke , chehre se niqaab ut'he
Har dil bane main khaana , har aankh ho pai maana
If the blessed face of the Distributor of Kauthar (drink of Jannah) were to be unveiled,
Then every heart will be stimulated (spiritual) and all eyes who see (this) will be lost in (its love)
Khaate he tere dar ka, peete he tere dar ka
Paani he tera paani, daana he tera daana
From your court we eat, and from your court we drink,
The water in reality is your water; the food in reality is your food.
Peeney ko to peeloon ga, par arz zara si hai
Ajmer ka saqi ho, Baghdad ka mekhana
I have no hesitation to drink, but for a small request
That the cupbearer is from ajmer, and the lounge is in Baghdad
Sange dar jaana par, karta hu jabeen saayi,
Sajda na samaj najdi, sar deta hu nazraana
When I lower my head in the court of my Beloved,
Do not think of this as prostration O Najdi (Wahabi), for I am just presenting my head as an offering.
Sarkaar ke jalwo se, rawshan he dille Noori,
Taa hashr rahe rawshan Noori ka ye kashaana
Through the manifestation of the Beloved Prophet , the heart of Noori is radiant.
Until the day of Hashr, may this abode of Noori be forever luminous.
Dil Apna chamak Uthe Imaan Ki Tal'at
Kar Aankh Bhi Noorani Ae Jalva-e-Jaanana
Sar Shaad Ise Karde Ek Jaam-e-Laba Lab Se
Ta Hashr Rahe Saaki Aabad Ye Maikhana
Har Phool Me Boo Teri Har Sham-A Me Zao Teri
Bulbul Hai Tera Bulbul Parwaana Hai Parwaana
Tum Aye Chati Baazi Ronak Huwi Phir Taazi
Kaaba Hua Phir Kaaba Kar Daala Tha Butt Khana
Is Dar Ki Huzuri Hi Isyaan Ki Dava Thehri
Hai Zahere Muaashi Ka Tayba Hi Shifa Khana
Gir Pad Ke Yaha Pohcha, Mar Mar Ke Ise Paya
Chute Na Ilahi Ab, Sange Dare Jaana Na