0% found this document useful (0 votes)
618 views25 pages

Daak Ghar Script

The document presents a dialogue between Madhav and Vaid ji, where Madhav expresses his worries about a child he has taken in, fearing for the child's health due to advice from Vaid ji to keep the child indoors. Dada Ji enters the scene, discussing the child's background and the challenges Madhav faces with the child's care. The conversation continues with Madhav's nephew, Amal, who is curious about the outside world but is restricted from going out due to health concerns, leading to a humorous exchange about their dreams and aspirations.

Uploaded by

naitik8745
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
618 views25 pages

Daak Ghar Script

The document presents a dialogue between Madhav and Vaid ji, where Madhav expresses his worries about a child he has taken in, fearing for the child's health due to advice from Vaid ji to keep the child indoors. Dada Ji enters the scene, discussing the child's background and the challenges Madhav faces with the child's care. The conversation continues with Madhav's nephew, Amal, who is curious about the outside world but is restricted from going out due to health concerns, leading to a humorous exchange about their dreams and aspirations.

Uploaded by

naitik8745
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 25

‘ DAAK GHAR ‘

(Vaid ji madhav ke ghar baithe hai)

SCENE:- 1

Madhav;- Vaid ji main toh badi mushkil mein pad gaya hun… jab vo nhi tha tab vo tha hi nhi,
koi fikar hi nhi thi..lekin ab toh na jaane kaha se aakar vo mere ghar mein bas gaya
hain…lagta hai uske chle jaane ke baad mera ye ghar,ghar hi na reh jayega…, aapko kya
lagta hai..?

Vaid ji:- Bhyii kismat mein likha hoga toh bhot dino tak bach bhi sakta hai… ayurved mein
likha hai patri ka aana shani paat jaan kufvat suman bhawani..

Madhav:- Bas bas bas.. ye shastron ki baten to Abhi Rahane dijiye.. isse Mera dar aur bhi
badh jata hai , bas yahi bataiye ki ab kya karna chahie ?

(Ji ko sunghte hue bolate Hain)

Vaid ji:- bahut savdhani se rahana hoga..

Madhav:- ye to theek hai vaid ji lekin kis baat se savdhan rahana hoga ye to bataiye na ?

Vaid ji:- ye pahle Hi Bata chuka hun.. balak ko ghar se bahar jaane ki sakht manai hai..

Madhav:- ab Jara se bacche ko din Raat Ghar ke andar bandhe rakhna bhi to mushkil Hai
Na..

Vaid ji:- Dekho Madhav ye jade ki dhup aur hawa.. donon hi uske liye Vish ke Saman
hai…aur phir shastron mein bhi likha hai apasare dware Kashi kamlaen Halimake..

Madhav:- achcha achcha ab ye shastron ki baat Rahane dijiye.. iska matlab ab use ghar
mein hi rakhna hoga, dusra aur Koi upay ?

Vaid ji:- kuchh nahin.. kyunki.! pawane tapne chevv..

Madhav:- aapka ye chevv lekar Main Kya karunga use to Rahane dijiye.. lekin sach kahun
aapke yah parhez bada mushkil Hai,Rog ki sari taklifen to bechara chupchap sah leta
hai..lekin aapki dava khane se jo use taklif hoti hai,use dekh kar mera kaleja fatne lagta
hai…

Vaid ji:- bhyii Madhav taklif Hoti Hai to hone do…samajh rahe ho.! , chalo main chalta hun..

Madhav:- ji

(Vaid ji chale jaate Hain aur Madhav dava lekar bed ke pass Rakh deta hai aur Jaise hi
khidki band Karta Hai Dada Ji a jaate Hain)
SCENE:- 2

(Dada Ji andar aate hue bolate Hain)

Dada ji ;- Madhav bhai ?

Madhav:- ye Lo dadaji bhi a gaye,matlab ek aur musibat a gai.!

Dada ji:- kyon bhai..mujhse dar Hai tumhen.?

Madhav:- Tum bacchon Ko bhakane ke sardar Jo Ho…

Dada Ji:- Lo Ab bhyii na to Tum bacche ho..aur na is ghar mein koi baccha Hai bahkane ki
tumhari umra bhi nahin Hai fir kis baat se darte ho.?

(Madhav lambi sans lete hue bolta hai)

Madhav:- ek baccha jo ghar mein le aaya hun..

Dada Ji:- baccha… kaisa baccha ?

Madhav:- Meri patni… ek ladka Godh lene ke liye pagal ho rahi thi.

Dada Ji:- are vo to kai Dinon Se Sun Raha Hun..per tum to Koi baccha Godh Lena Hi nahin
chahte..

Madhav:- hain Tum to jante hi ho bhai..Maine Badi mehnat mashakkat se rupaye jode
Hain,jaane Kahan Se aake Koi paraayaa ladka meri mehnat ki kamai ko baithe baithe udata
rahega..ye baat soch Kar bhi dar lagta tha.. lekin ye baccha Aisa bhah Gaya Hai ki….

Dada Ji:- ki iske upar jitna bhi kharch karte Ho samajhte Ho,ki rupaye ka sabse bada
Bhagya yahi hai..

Madhav:- han han bilkul… pahle Paisa kamana mere liye ek Nashe ki tarah tha, bina paise
kamae chain hi nahin padta tha..lekin Ab to ye jante hue bhi ki meri sari kamai is bacche ko
milegi… mujhe Badi Khushi hoti hai.

(Dada Ji haste hue bolate Hain)

Dada Ji:- per bhai yah to batao,ye baccha Mila kahan per ?

Madhav:- gaon ke rishte se meri patni ka bhatija Hai,chhoti umra mein uski maa Gujar Gai
aur abhi kuchh Dinon pahle hi uska baap bhi..

Dada Ji:- bhyii fir to is bacche ko meri sakht jarurat hai..

(Dadaji andar jaate Hain)


Madhav:- are ruko kahan ja rahe ho, suno vaid ji ne kaha hai ki uss bacche ke Dil mein
chhed hai.. to usse uski bachne ki ummid bahut kam hai, bas ek hi upay bacha hai..use is
jade ki dhup aur hawa se bacha kar rakhna hoga, lekin bacchon ko Ghar Se Bahar nikalna
hi to tumhara Khel hai.. isliye tumse dar lagta hai..!

Dada Ji;- jhooth nahin bol rahe ho tum… bahut daravana ho gaya hun na main,jaade ki dhup
aur hawa ki tarah.. lekin bhai ghar mein baithakar rakhne Wala Khel bhi Main jaanta hun…

Madhav:- achcha..!

Dada ji :- han.. bas mujhe ek bar bacche se milne do…

(Madhav Dada Ji ko Bahar nikaalte hue bolata hai)

Madhav:- nahin bacche se phir kabhi mil Lena abhi aaram kar raha hai..

Dada Ji:- Madhav bhai samjha Karo is bacche se Milna Mera bahut jaruri hai..

Madhav:- are tum meri baat samjha Karo,pahle apna Kaam nipta Lo..bacche Se uske bad
mil lena…

Dada Ji:- kaam to phir nipat jaega..

Madhav:- nahin kam to Abhi niptaao bacche se bad mein mil lena…

Dada ji:- achcha dekh to Leta hoon…

Madhav:- nahin nahin phir kabhi dekh lena aap…

Dada ji:- achcha kaam nipta ke aata hun.

Madhav:- han.. kaam nipta ke aana…

Dada Ji:- theek hai..khuda Hafiz..!

(Madhav Dada Ji ko darvaje ke bahar bhejta hua kahta Hai)

Madhav:- khuda Hafiz,khuda Hafiz..!

(Madhav apni kitab nikal kar kuchh padhne baithata Hai utane mein piche se Amal Aakar
Madhav ki Aankhen band kar deta hai)

SCENE:- 3

Madhav:- Amal..!

Amal:- fufa ji kya main use baramdey Tak bhi nahin Ja Sakta.?
Madhav:- nahin beta..!

Amal:- vo bua ji Jahan lakadi katati hai aur gilhari kut kut ke daal khati hai main vahan Tak
bhi nahin Ja Sakta..?

Madhav:- nahin beta..!

Amal:- Kash main gilhari hota to Kitna achcha hota… per main Bahar kyon nahin Ja Sakta.?

Madhav:- kyunki vaid ji ne kaha hai agar tum bahar jaaoge to bimar pad jaaoge…

Amal:- ye vaid Ji ko kaise maloom.?

Madhav:- kaisi baat karte ho Amal..Bhala ye vaid ji nahin janenge,unhone itni badi badi
pothiyan Jo padh Dali hai…

Amal:- Maine to ek bhi pothi nahin padi isliye Main nahin jaanta..

Madhav:- Dekho beta Amal…bade bade pandit log bhi tumhari tarah hi hote hain,Ghar Se
Bahar hi nahin nikalte…

Amal:- nahin nikalte.?

Madhav:- nikalenge bhi kab Tum Hi batao, voh to Sara din baithe baithe sirf pothiyan padhte
rahte hain,idhar udhar najar bhi nahin jaati..Amal beta bade hokar tum bhi pandit banoge,itni
Sari Sari pothiyan padhoge log tumhen dekhkar achraj mein pad jaenge…

Amal:- nahin nahin, main pandit nahin banunga, hargiz nahin banunga…

Madhav:- kaisi baat karte ho Amal,agar Main pandit hota to Dhanya ho chuka hota…

Amal:- main dekhunga.. jo dekhne ki chijen hongi ghoom ghoom ke dekhunga…

Madhav:- kaisi baten karte ho, aakhir yahan ghumne ke liye hai hi kya.?

Amal:- Dekho vahan dur ek pahad dikh Raha HaiNa, Mera Man karta hai ki uske aage chala
jaaun..!

Madhav:- kam na dham khamkha pahad paar karne Chala jaaun, Tum Jo kahate Ho uska
koi thikana bhi Hai ki nahin.. Dekho Amal beta ye jo itne bade bade pahad Hain iska matlab
hai ki isko paar karne ki manahi Varna itne bade pathar ekattha karke ye pahad banane ki
kya jarurat Thi.. hainn ?

Amal:- aapko aisa lagta hai, mujhe lagta hai ki Dharti na Bol nahin sakti isliye apna hath
uthakar Aasman Ko pukarti Hai,vo Dekho vo Jo dur army log hote hain na unko sunai deti
Hai..Bas pandit logon Ko sunai nahin deti…
Madhav:- voh tumhari tarah pagal nahin hai na,unko sunne ki jarurat bhi nahin Hai…

Amal:- kal Na Maine ek pagal Ko dekha Meri tarah, vo na maidan se pahadi Tak ja raha tha
han aur uske kandhe per ek Lathi Thi aur Lathi per ek pothali Thi aur uske hathon mein ek
Lota tha, maine usse poochha ki kahan ja rahe ho usne bola pata nahin Jahan jaaun,Maine
fir se poochha kyon ja rahe ho, usne bola kam dhundhne.. kaam bhi dhundhna padta hai
kya.?

Madhav:- kyon nahin dhundhna padta,kitne log kam dhundhte firte Hain..

Amal:- tab theek Hai..Main bhi bada hokar kaam dhundhunga…!

Madhav:- aur agar kaam Na Mila to ?

Amal:- wapas dhundhung..!

Amal:- han to voh nagauri jute wala ber ke ped ke niche aur jharane ke baju mein jakar
khana kha raha tha, jaise hi uska khana khatm hua to usne sab kuchh bandh Liya aur apni
Lathi uthakar chalta banaa, to fir Maine bua ko kaha ki mujhe bhi vahan jakar khana khana
hai…

Madhav:- to fir bua Ne Kya kaha.?

Amal:- jab tum theek ho jaaoge, main tumhen vahan Le jakar khana khilaungi… per main
theek kab hounga..?

Madhav:- bahut hi jaldi beta..!

Amal;- jaldi..! tab to main theek hote hi Chala jaunga…

Madhav:- kahan chale jaaoge?

Amal:- vah tedhe medhe jharane mein pair duba duba kar dur Chala jaunga…

Madhav:- theek hai beta, lekin pahle theek to ho jao…

Amal:- phir mujhe pandit banne ke liye mat bolna…

Madhav:- phir tum kya Banna chahte ho?

Amal:- abhi nahin pata bad mein bataunga…

Madhav:- theek hai..! lekin tum is tarah pardesiyon Se baten mat Kiya Karo…

Amal:- mujhe Pardesi log acche lagte Hain…

Madhav:- agar tumhen vo pakad Kar Le Gaye to.?


Amal:- to bahut achcha hoga..! lekin mujhe to Koi pakdata hi nahin Hai, sab bithakar chale
jaate Hain…

(Madhav haste hue bolata hai)

Madhav:- theek hai bete, chalo mujhe Kaam Hai mujhe Jana Hai..Lekin tum Ghar Se Bahar
mat nikalna…

Amal:- nahin nikalunga fufa ji.. vo Jo sadak ke kinare wala Kamra hai na main vahan per
jakar baith jaunga…

Madhav:- theek hai..!

(Amal chala jata hai aur utane mein hi Madhav apni shawl odhkar ghar ke bahar chala jata
hai aur Bangali gana start ho jata hai aur Amal khidki kholkar baith jata hai)

SCENE:- 4

(Dahi wala aur Amal ka scene, Dahi wala awaaz maarte Hue aata Hai)

Dahi wala:- dahi… khatta meetha dahi,dahi… meetha khatta dahi…

Amal:- dahi wale, dahi wale. are o dahi wale..?

Dahi wala:- kyon Pukar rahe ho, tumhen dahi lena hai ?

Amal:- lunga kaise, mere pass to paise hi nahin hai..!

Dahi wala:- Ajeeb ladke Ho, jab loge hi nahin to mera waqt kyon barbad kar rahe ho.?

Amal:- Kash main tumhare sath Ja Sakta…

Dahi wala:- mere Sath Ja sakte hain ?

Amal:- Tum itni dur Se, awaz lagate hue a rahe ho mujhe bahut achcha lagta hai..!

(Dahi wala apna Saman niche rakhte hue bolata hai)

Dahi wala:- Babu Tum yahan baithkar karte kya ho ?

Amal:- vaid Ji Ne mujhe Bahar aane Se Mana kiya hai, isliye main pura din yahi baithata
hun..

Dahi wala:- oh oh tumhe hua kya hai ?

Amal:- mujhe bhi nahin pata, Maine to kuchh padha hi nahin haina, isliye Main nahin
jaanta… tum kahan se Aaye Ho ?
Dahi wala:- Main to Apne gaon Se a raha hun..!

Amal:- Apne gaon Se, bahut dur hoga Na.?

Dahi wala:- Mera gaon… vo Jo pahadi dikh rahi hai…

Amal:- han..!

Dahi wala:- voh Hai panchmunda pahad, uske uss taraf Hai Mera gaon.. sanvali Nadi ke
kinare…

Amal:- panchmunda pahad sanvali Nadi ke kinare..?

Dahi wala:- kya kabhi uss raste Gaye Ho Tum..?

Amal:- nahin main Gaya to nahin hun per… Aisa lagta Hai ki… vahi haina purane pedon ke
niche aur Lal rassey ke kinare.?

Dahi wala:- bilkul theek kah rahe ho bhaiya..!

Amal:- aur… udhar gay charati hai.?

Dahi wala:- kyon nahin charati bhaiya, bilkul charati Hai are hamare gaon mein Gay khoob
charati Hain…

Amal:- aur udhar Lal rang ki Sadi pahan ke auraten Pani Lene jaati Haina nadiyon se.?

Dahi wala:- are hamare gaon ki sabhi auraten nadiyon se hi to pani Bharti Hain, Magar vo
sabhi Lal rang ki Sadi pahne aisi baat nahin Hai, Lekin bhaiya tum hamare gaon gaye ho ?

Amal:- nahin main sach mein nahin Gaya, lekin jab vaid ji mujhe bahar jaane ko bolenge, tab
Tum mujhe Le jaaoge Na Apne gaon..?

Dahi wala:- kyon nahin.. Le chalunga Babu jarur le chalunga..!

Amal:- phir tum mujhe dahi bechna bhi sikha Dena, main bhi dur dur Tak jaunga aur dahi
bechunga..!

Dahi wala:- are bhaiya tum dahi kyon bechoge, Tum to Bhari pothiyan padh kar bade pandit
banoge..!

Amal:- nahin nahin main pandit nahin banunga, Main tumhari tarah dahi bechunga, aap
mujhe ye awaaz lagana sikha dena…!

Dahi wala:- Lo… foot Gai takdeer ye bhi Koi sikhane ki cheez hai bhaiya..!

Amal:- mujhe ye Sur bahut achcha lagta hai, dahi… khatta meetha dahi dahi… meetha
khatta dahi…
(Dahi wala Amal Ko nahin dete hue bolata hai)

Dahi wala:- Babu Tum thodi Si dahi kha lo..

Amal:- dahi khane ke liye mere pass paise hi nahin hai..!

Dahi wala:- nahin nahin, paiso ki Koi jarurat nahin Hai, Tum thoda sa dahi kha loge, to mujhe
bahut achcha lagega..!

Amal:- aapko bahut der ho rahi hai na..?

Dahi wala:- na na na..! mujhe Koi der nahin ho rahi hai aur na Hi Mera Koi nuksan Ho Raha
Hai Sach kahun to dahi bechne ka kya asali Sukh Hai, ye Maine Aaj tumse sikha..achcha
bhaiya to ab main chalta hun…!

(Dahi wala Ja Raha hota Hai tabhi Amal piche se awaaz lagata hai)

Amal:- dahi… khatta meetha dahi… dahi… meetha khatta dahi…

(Dahi wala Chala jata Hai utane mein Hi pahredar ki entry hoti hai)

SCENE:- 5

Amal:- pahredar, pahredar, are o pahredar..Jara baat to suno…?

Pahredar:- kya hua, kya Halla macha Rakha Hai, darte nahin to mujhse.?

Amal:- kyon Darna chahie?

Pahredar:- agar Main pakad kar le jaaun to.?

Amal:- pakad kar le jaaoge, bahut dur us pahadi ke bhi aage…

Pahredar:- agar Raja ke pass Le jaaun to..?

Amal:- To fir chalo.. lekin vaid Ji mujhe Bahar aane Se Mana kiya Hai..!

Pahredar:- vaid ji Ne Mana Kiya Hai… o tabhi kahun tumhara chehra itna safed kaise ho
raha hai aankhon ke aaspaas kaisi syahi fir gai hai, aur Dekho to Jara hathon ki Nase bhi
dikh rahi hain…

Amal:- Tum ghanta kyon nahin bajate..?

Pahredar:- abhi waqt nahin hua Hai..!

Amal:- Koi kahta Hai waqt nahin hua Hai, Koi kahta Hai waqt Ho Gaya Hai, jab Tum ghanta
bajate ho tabhi waqt ho jata hai…
Pahredar:- are aise kaise ho sakta hai, bhyii, jab Main ghanta bajata hun tabhi waqt hota
Hai…

Amal:- mujhe tumhara ghanta bahut achcha lagta hai, jab dopahar mein sab logon ka khana
ho jata hai. Ham logon ka kutta so jata hai, aur fufa ji kam per nikalte Hain aur jab bua ji
Ramayan padati Hain tabhi tumhara ghanta bajata Hai.. tan tan tan , Tum ghanta kyon
bajate ho ??

Pahredar:- Mera ghanta batlata hai, ki waqt kabhi baitha nahin rahata, ye chalta rahata hai…

Amal:- waqt kahan ja raha hai ?

Pahredar:- ye baat to Koi nahin jaanta..

Amal:- Mera Man karta hai, main waqt ke Sath ek aise Desh mein jaaun, jiska kisi ko pata
nahin Ho..!

Pahredar:- ek din to sabhi ko uss Desh mein Jana hi hoga beta..!

Amal:- mujhe bhi ?

Pahredar:- Jana to hoga hi..!

Amal:- vaid ji mujhe Bahar nahin nikalne dete..!

Pahredar:- kabhi Aisa Na Ho tumhare vaid ji tumhara hath pakad kar khud na lekar jaaye..

Amal:- aap mere vaid ji Ko nahin jante, vo hamesha mujhe band rakhte Hain…

Pahredar:- bhyii lekin unse bhi jo acche Vaid Ji Hain vo hath pakad kar chhoda jaate Hain..

Amal:- acche Vaid Ji kab aaenge ? mujhe yahan baithana achcha nahin lagta…

Pahredar:- hmm.. aisi baten nahin bolate..

Amal:- achcha pahredar…voh bada Sa Makan jo hai, uske upar ek jhanda hai, aur vahan log
aate jaate rahte hain woh kya hai ??

Pahredar:- vahan naya daak ghar khula hai..!

Amal:- daak ghar.. kiska daak ghar ??

Pahredar:- bhyii kiska daak ghar Raja ka daak ghar, aur kiska.. Badi Ajeeb baat karte ho
yaar tum..!

Amal:- Raja ke daak ghar mein, sari chittiyan Raja se aati hai kya?
Pahredar:- aur kya.. aur ek din dekhna, tumhare liye bhi Raja dher sari chittiyan likhenge…

Amal:- main to Abhi baccha hun, mere liye kaise likhenge…

(Pahredar baithte hue bolata hai)

Pahredar:- bhyii hamare Raja, bacchon ke liye bhi itni itni chittiyan likhate Hain…

Amal:- phir to maja aaega, lekin mujhe chitthi kab milegi, aur ye baat aapko kaise maloom
??

Pahredar:- agar aisa Na hota to, tumhari is khuli khidki ke samne..Raja apna sunhara jhanda
kyon fahrana chahta.. Hein,tum acche ladke Ho..!

Amal:- achcha Raja ki chitti Kaun lekar aaega?

Pahredar:- Raja ke bahut sare dakiye Hain, dekha nahin tumne, jinki chhati per Sone ke
tagmag latak rahe hain, aur voh ghumte rahte hain.. idhar udhar…!

Amal:- voh kahan ghumte rahte hain.?

Pahredar:- Shahar Shahar desh desh ghumte hain vo…

Amal:- phir to bada hokar main bhi Raja ka daakiya banunga..!

(Pahredar hanste hue bolata hai)

Pahredar:- Bhyii bada Hi mushkil kaam hai ye, Raat Ho din ho dhup ho ya barish ho Amir ho
ya Garib Ho sabhi ko ghar ghar jakar chittiyan bantate firte Hain, tumhare liye sahi hai ye,
maje se ghumna..! Hahaha

Amal:- aapko Hansi kyon a rahi hai, achcha kam to Hai ye, aur han aapka kaam bhi achcha
hai, dopahar ki dhup mein tumhara ghanta bajata Hai, aur Raat mein Main jab uthata hun,
tab tumhara ghanta bajata Hai ,Tan Tan Tan….

Pahredar:- achcha ab main chalta hun.. Chaudhari a Raha Hai, kahin usne mujhe tumse
baat karte hue dekh liya, to main mushkil mein pad jaunga..

Amal:- kahan hai Chaudhari ,?

Pahredar:- voh Dekho bahut dur, jiske sar per bada sa chhata hai…

Amal:- Shayad Raja ne usko Chaudhari banaya hai..

Pahredar:- are nahin.. vo khud Hi Chaudharahi karta firta hai, aur jo uski baat nahin manta,
vo uske hath dhokar piche pad jata Hai, logon Se jhagada karke hi apna dhandha bhi chala
raha hai ,achcha main chalun mujhe bahut sara kam bhi hai kal subah dobara Aakar milta
hun aur Shahar ki bahut sari baten bhi sunaunga acche tum apna Dhyan rakhna…!
(Pahredar Chala jata Hai)

Amal:- agar Raja mujhe roj ek chitthi likhega to bada maja aaega agar dakiye ne mujhe
nahin pahchana to ?

SCENE:- 6

(Chaudhari ki entry hoti hai)

Amal:- Chaudhari ji, Chaudhari ji

Chaudhari:- Kaun Hai bee, rah chalte mujhe is tarah Pukar Raha Hai, Kahan ka Bandar Hai
ye..?

Amal:- aap Chaudhari ji ho na? Sab to aapko jante mante haina..

Chaudhari:- han han.. mante hain aur khoob mante Hain..!

Amal:- dakiya bhi manta hai.?

Chaudhari:- na manenge to Jaan bachegi uski.. majal hai..!

Amal:- to fir dakiye ko bolna mera naam Amal hai aur Main idhar baitha rahata hun..!

Chaudhari:- kyon Bhala ?

Amal:- agar mere naam ki koi chitthi Aaye to..!

Chaudhari:- tumhare Naam ki chitthi,tumhen chitthi Kaun likhega Bhala ?

Amal:- agar Raja Ji koi chitthi bheje to..!

(Chaudhari Jor ki hansta hai)

Chaudhari:- ladka to Hai Bhala.. Raja tumhe chitthi likhega, han bilkul likhega kyunki Tum Jo
uske gehre dost Ho ,achcha Maine to suna hai ki Kai Dinon Tak tumhari usse baat na hone
ke Karan vo kafi dukhi Hai, jyada der nahin Hai chitthi aaj aaye ya kal..!

Amal:- aap aise kyon baat kar rahe ho, aap mujhse naraz Ho ?

Chaudhari:- Lo.. Bhala main tumse naraz kyon rahunga, itni himmat Hai Meri ,tumhari to
Raja ke sath chitthi patri chalti Hai..

(Chaudhari dhire se bolata hai hanste hue)

Chaudhari:- ye Madhav Datt ka dimag to bada chadh Gaya Hai, do paise kya jama kar liye
Raja badshahon ke alava baat hi nahin karta..,
Chaudhari:- acchi baat hai ladki Main jakar voh bandobast Karta Hun jisse Raja ki chitthi
tumhare Tak pahunch jaaye..!

Amal:- nahin nahin,aap taklif mat lijiye..!

Chaudhari:- kyon Bhala.. Main jakar Raja Ko yeh khabar deta hun, aur yeh sunkar vo Na rah
payenge ,aur turant apna pyada bhejenge…

(Chaudhari dhire se bolata hai)

Chaudhari:- na Madhav Datt mein himmat ki to Kami nahin Hai, ek bar yeh baat Raja Tak
pahunch jaaye phir voh durust ho jaaye…

(Chaudhari apna chhata upar karke Chala jata Hai aur jaate jaate uski Takkar ladki Se Hoti
Hai)

SCENE:- 7

(Amal uss wali ladki Ko rokata Hai)

Amal:- Aee Payal wali ladki, ruk..

Ladki:- rukne ki fursat hi kahan hai, waqt Jo bita ja raha hai..

Amal:- asal mein to tu yahan rukna hi nahin chahti, Jaise Main yahan baithana nahin
chahta..

Ladki:- Han..! (Hansti hai) , tumhen dekhkar Aisa lagta Hai ki Jaise Bor Tara, achcha tum
mujhe yah batao ki tumhen hua kya hai ?

Amal:- mujhe bhi nahin pata, bas Vaid ji bahar jaane se Mana Kar gaye hain…

Ladki:- Phir to Tum yahan se hargis bahar nahin nikalna, kyunki vaid Ji ki baat manna bahut
jaruri hai, aur Masti bhi mat Karna Varna log tumhen shrarti kahenge, bahar ki or dekhkar
tumhara man jarur chhatpata Raha HaiNa, isliye ruko main ye khidki bhi band kar deti hun..

Amal:- nahin nahin ye khidki band mat karo, baki sab band hai sirf yahi khuli hai…

Ladki:- (pyari Si smile karke bolati hai), Thik hai..!

Amal:- tum kaun ho ?

Ladki:-; mera naam Sudha hai..

Amal:- Sudha ?

Ladki:- nahin jante, yahan ke Malik ki Beti…


Amal:- Tum Karti kya ho..?

Ladki:- main ye tokri bharkar phool chunati hun. aur unki Mala banati hun, abhi bhi main
phool chunne hi ja rahi hun…

Amal:- isliye tumhari Payal ki itni awaaz a Rahi hai, chhan chhan chhan…agar Main hota na
to upar Se bhi phool Tod deta…

Ladki;- kyon nahin, Jaise phoolon ke bare mein, tum mujhse jyada jante ho…

Amal:- jaanta hun beshak jaanta Hun…, Tum Kya Meri Parul didi banogi..?

Ladki:- kya akaal Hai tumhari, Main tumhari Parul didi kaise banungi..? Main to sudha Hun,
yahan ke Shashi Malik ki Beti…

Amal:- Tum pura din kya karti ho ?

Ladki:- meri ek gudiya hai main uski shaadi karvati rahti hun, aur meri ek paaltu Billi bhi hai..!
(Piche se ganta bajane ki awaaz aati Hai) , ab main chalti hun, bahut der ho gai hai, aur der
hone per phool nahin milenge…

Amal:- mere Sath baat karo na, maza aa raha hai…

Ladki:- ab tum yahan, bhale bacche ki tarah baithe raho, main phool chunke aati hun, aur
phir main Aakar tumse milungi…

Amal:- mujhe bhi ek phool dogi..?

Ladki:- phool Yun Hi nahin milega, uska Dam bhi Dena padega…

Amal:- jab Main bada Ho jaunga, tab de dunga…

Ladki:- achcha..! , ye sahi hai…

Amal:- Tum phool chunkar aaogi na ?

Ladki:- han aaungi..!

Amal:- pakka ?

Ladki:- pakka..!

Amal:- Tum mujhe bhulogi to nahin, Mera Naam Amal hai..!

Ladki:- han han nahin bolungi, yaad rahega, ab main chalti hun..!
(Ladki Chali jaati hai aur gana start ho jata hai aur Amal bahut der Tak Khali baitha rahata
hai aur idhar udhar dekhta hai)

SCENE:- 8

(3 bacchon ki entry Hoti Hai khelte hue aur do bail aur ek Kisan hota hai aur unke hath mein
hal hota hai)

Bacche:-Chal Chal Chal abe jaldi Chal, Chal tej chal chal chal..!

Amal:- are ruko ruko, kahan ja rahe ho ?

Bacche:- ham log khelne ja rahe hain…

Amal:- kya Khel rahe ho ?

Bacche:- ham log kheti ka khel khelne ja rahe hain, Main Kisan banaa hun, aur ye donon
mere bail..!

Amal:- tum log pura din kheloge ?

Bacche:- han..! Din bhar…

Amal:- aur sham ko lautoge ?

Bacche:- han Ham sham ko lautenge…!

Amal:- tum log sham ko lautoge na, to mere Ghar ke samne se hi lautana..

Bacche;- to tum bhi Bahar a Jao Na, Ham sab milkar khelenge…

Amal:- vaid Ji Ne mujhe Bahar aane Se Mana Kiya Hai, isliye Main nahin a Sakta..

Bacche:- Vaid ki manae tum mante Ho, chalo bhai chalo hamen der ho rahi hai…

Amal:- are mat jao,mat Jao Tum log yahan per khilona, main bhi dekhunga..

Bacche:- yahan Ham kis chij Se khelenge?

Amal:- mere pass bahut sare khilaune Hain, ruko main abhi Lata hun…

(Bacche uske pass chale jaate Hain aur Amal khilaune nikaalte hue bolata hai)

Amal:- akele khelna mujhe achcha nahin lagta, isliye ye Tum Rakh Lo…

Bacche:- Wah wah.. kitne anokhe khilaune Hain…

(Bacche khilaune dekhte hue bolate Hain)


Bacche:- ye to jahaz Hai, aur yah unth, Dekho to Jara Kitna anokha sipahi Hai, ye sab
khilaune Tum hamen de rahe ho, tumhen dukh nahin hoga.?

Amal:- bilkul nahin..!

Bacche:- lekin ye Ham tumhen wapas nahin denge…

Amal:- koi baat nahi, mat dena…

Bacche:- lekin Koi Tum per naraj to nahin hoga ?

Amal:- koi nahi hoga..! lekin har subah tumhen Meri khidki ke samne Aakar khelna hoga.!

Bacche:- theek hai ham log roj subah yahan khelne a Jaya karenge… tum sipahiyon ko
sajana, ham log ladai ladai khelenge, lekin banduk to hai hi nahin ye Jo Mota danda haina,
ham ise hi todkar banduk banaa liya karenge…!

( Amal ko nind aane lagti Hai)

Bacche:- lekin bhai Tum to soye ja rahe ho..

Amal:- han… mujhe bahut nind a rahi hai, pura din yahan baitha tha na isliye…

Bacche:- lekin Abhi to din ka pahla pahr hi Chadha Hai, tume abhi se nind a gai vo Dekho
din ke pahle pahr ka ghanta baj raha hai, tan tan tan…

Amal:- voh ghanta mujhe Sone ke liye Pukar Raha Hai…

Bacche:- theek hai bhai ham log ab chalte Hain..

Amal:-: suno suno, tum log Raja ki dakiye ko jante ho ?

Bacche:- han han, pahchante Hain khoob pahchante Hain…

Amal:- unka naam kya hai ?

Bacche:- ek ka naam hai Badal dakiya.. aur ek ka ,Sharad.. aur bahut Se Hain…

Amal:- agar mere Naam Se Koi chhitti aaegi, to vo mujhe pahchan payega na..?

Bacche:- chitthi per tumhara naam hoga to, vo tumhen theek pahchan lega…

Amal;- kal savere jab Tum aaoge, to ek dakiye Ko Lana, aur usse Meri pahchan karva dena..

Bacche:- theek hai..! Ham chalte Hain…

(Bacche chale jaate Hain aur Amal khidki per hi so jata hai aur Bangali song play hota hai)
SCENE:- 9

(Amal bed per leta hai aur Madhav use Chadar odha raha hai)

Amal:- fufa ji aaj kya main us khidki Tak bhi nahin Ja sakta, vaid ji ne Mana Kiya Hai ?

Madhav:- han beta.. roj roj tumhare vahan baithane se, tumhari bimari aur bhi badh gai hai…

Amal:- nahin nahin, mujhe vahan baithana achcha lagta hai…

Madhav:- per beta tumne vahan baithe Rahane se, Shahar ke tamam budo bacchon se dosti
kar li hai, hamare darvaje ke aage jaise ki Mela Sa Laga rahata Hai, aise to tum theek nahin
hoge na, aur Dekho Aaj tumhara chehra fika Sa pad Gaya Hai…

Amal:- agar aaj mujhe vo khidki per nahin dekhega, to vo fakir Chala jaega..

Madhav:- tumhara ye fakir Hai Kaun ?

Amal:-: mujhe vo roj Desh videsh ki kahaniyan sunata hai, mujhe vo bahut achcha lagta
hai…

Madhav:- Main to Kisi aise fakir Ko nahin jaanta..

Amal:- uske aane ka samay ho gaya hai, main aapke pair padta hun, aap use andar aane
doge ?

(Madhav hansta hua bolata Hai)

Madhav:- theek hai beta..!

(Fakir ki entry hoti hai aur Dada Ji Hi fakir hote Hain)

Fakir:-; Amal baccha..!

Amal:- yahi to fakir hai..

Madhav :- ye.., ye toh..!

Fakir:-; main fakir hoon.. fakir…

Amal:- aaiae aaiae baithiye..!

Madhav:- main ye nahin samajh pata. ki tum kya nahin Ho..

Amal:- is bar kahan gaye the fakir ?

Fakir:-: karochdev gaya tha baccha, abhi abhi main vahin se a raha hun..
Madhav:- karochdev se ?

Fakir:-: tumhen itni hairani kyon Ho Rahi Hai Bhyi, Tum mujhe bhi Kya apni tarah samajhte
ho kya, mera kahin bhi aane jaane mein kuchh nahin kharch hota, Main apni Marji Se jab
chahun Jahan chahun a ja sakta hun….

Amal:- aapne kaha tha jab Main theek ho jaunga, tab aap mujhe apna chela Bana loge,
yaad hai na.?

(Fakir hanste hue bolata hai)

Fakir:- khoob yaad Hai baccha khoob yaad hai, main tumhen ghumne firne ka Aisa Mantra
sikha Dunga, uske baad samundra parvat per kahin bhi tumhen Koi rok Tok nahin hogi…

Madhav:- kaisi pagalon wali baten karte ho tum donon.!

Fakir:- Amal baccha, samundar parvat per main kisi se nahin darta, per Jo tumhare fufa ji
haina aur kahin inke sath mein vo vaid ji bhi Aajhuthe, to Bhai phir mere Mantra bhi haar
maan lenge…

Amal:- nahin nahin fufa ji aap Vaid Ji ko mat kahana main yahin per leta rahunga, lekin jab
Main theek ho jaunga Na to sare Mantra Sikh kar dur Chala jaunga aur mujhe Koi nahin rok
sakega pahad bhi nahin aur Nadi bhi nhi..!

Madhav:- Amal beta is tarah ki baar baar jaane ki rat nahin lagaya karte, aisi baten sunkar
Mera Man na jaane Kaisa ho jata hai…

Amal:- karochdev kaisa deep hai ?

Fakir:- bade achraj ki jagah Hai baccha, chidiyon ka Desh Hai Insan to vahan hai hi nahin
aur pakshi bhi vahan aise hai Na chalte Hain na bolate Hain bas udate hain aur gaate
Hain…

Amal:- vahan samundar bhi hai ?

Fakir:- samundar ke kinare to vo hai hi..!

Amal:- vahan ke ped neele rang ke Hain ?

Fakir:- han.. aur un Neelo pedon per unka Basera Hai, shamko jab pahadon per dhalte hue
Suraj ki Roshani badhati hai aur hare hare pakshiyon ke jhund jab Apne basere ki taraf
lautate hain, to us samay Aasman ke rang Se, pakshiyon ke rang Se, aur pahad pahad ke
rang Se, Ajeeb Hi Sama ban jata hai…!

Amal:- vahan ke pahad mein jharane bhi bahte hain ?

(Fakir jor se Hans ke bolata hai)


Fakir:- Lo, Ab jharanon ke Bina bhi Koi baat banti hai Bhala. Aisa lagta Hai Kisi khas heere
ko Gala kar Dhaal Diya Ho, aur Jharna ka Nach to Aisa, ki rodo ko than than thun thun karte
hue lagatar samundar mein gir padte Hain, Kisi Vaid ke baap mein bhi itni takat nahin ki
unko pal Bhar ke liye bhi rok sake…!

Amal:- agar Main bhi chidiya hota, to Kitna achcha hota..!

Fakir:- bhyii tab to Badi mushkil Ho jaati baccha, suna hai tumne dahi wale se kaha hai ki
tum bade hokar dahi bechna chahte ho…ab beta chidiyon ke sath to tumhara ye Vyapar
chalne Se Raha, ulta tumhara nuksan Hi Ho jata..

Madhav:- Ab to had hi ho gai hai tum log mujhe bhi pagal kar doge, Main to chala..

Amal:- ruko fufa ji, kya dahi wala Aakar Laut Gaya..?

Madhav:- laut kyon Na jaega Bhala, tumhare is fakir ki karochdev ki chidiyon ke sath udane
se uska pet to nahin bharega na Bhala, tumhare liye ek kuliya dahi rakhkar Gaya Hai, kah
Gaya Hai uska bhanji ka Vivah hai, isliye use fursat nahin Hai…

Amal:- lekin usne to kaha tha ki uski bhanji ka Vivah mujhse hoga ?

(Madhav aur fakir donon hanste Hain)

Fakir:-: are tab to Badi mushkil Ho jaayegi..

Amal:- usne kaha tha ki Meri Biwi bahut Sundar hogi, aur vo Laal Sadi pahnegi, aur phir vo
mujhe roj naye bartan mein dudh diya karegi, aur shamko vo mujhe kahaniyan sunaegi…!

(Fakir hanste hue bolata hai)

Fakir:- bhyii, Bahu to khas Hai, Main ek fakir hun fir bhi mere man mein lalach a raha hai,
lekin baccha Tum na chinta mat karo, is Bari na uska vivah ho Hi jaane do main kahta hun
na jab Tum tumhen jarurat hogi to uski yahan Koi bhanjiyon ki akaal thodi Na pad jaega..!
Hahaha..

Madhav:- Ab to had Hi Ho Gai Bhyii Main to chala…!

(Madhav Bahar Chala jata Hai)

Amal:- fufa ji to Abhi chale gaye, ab ye to batao, Raja Se Meri chitthi aayi hai kya dakghar
mein ?

Fakir:- beta Suna to Hai ki chitthi vahan se Ravana ho chuki hai, per abhi kahin raste mein
Hai…

Amal:- raste mein, kaun se raste mein, vo Jungle wale raste mein..?
Fakir:- are wahh, Tum to sab jante Ho..

Amal:- main sab jaanta hun..!

Fakir:- lekin tumne ye sab Jana kaise ?

Amal:- mujhe bhi nahin pata, per aisa lagta hai ki maine sab dekha Hai Meri aankhon ke
samne mujhe sab kuchh dikhta Hai, aur abhi main dekh raha hun vo dakiya pahad se niche
utar raha hai, uske hath mein ek Lathi hai aur uske kandhe per ek thaili i aur uske andar
bahut sari chitiyan Hain, vo kab se niche utar raha hai, aur mujhe use dekhkar bahut Khushi
ho rahi hai..!

Fakir:- beta tumhari Jaisi nayi Aankhen nahin Hai Meri, lekin tumhare dekhne se Aisa lagta
Hai ki, Main bhi use dekh Pa raha hun..!

Amal:- achcha jiska ye dakghar hai, us Raja ko aap jante ho ?

Fakir:- jaanta kyon nahin, Main to vahan roj bheekh mangne jata hun..!

Amal:- to Main bhi bheekh mangne aaunga…

Fakir:- nahin bacche, tumhen bheekh mangne ki koi jarurat hi nahin padegi, Jo kuchh Dena
hoga Na, Raja bin mange hi de denge…

Amal:- nahin nahin, main bhi bheekh mangunga, unke darvaje ki aage Jay Ho Maharaj Jay
Ho Maharaj karke nachunga, aur bheekh mangunga…

Fakir:- bhyii phir to bahut maja aaega, mere Sath Tum bhi chaloge Na, to mujhe bhi bharpet
bheekh milegi per ye to batao tum bheekh mein mangoge kya..?

Amal:- main bheekh mein mangunga, ki Main unka ek dakiya Ban jaaun, aur unki chittiyan
bantata firun…

Fakir:- per beta, ghar mein Rahane mein bhi Bhala kya dukh hai ?

Amal:- nahin nahin Koi dukh nahin Hai, pahle Main sochta tha ki din kaise bitaun, per ab ye
dakghar dekh Kar Main Aisa sochta Hun, ki Meri chitthi kab aaegi aur aisi hi Khushi Khushi
din beet jata Hai, Magar chitthi mein kya likha hoga ?

Fakir:- Khair usse kya fark padta hai, chitthi per tumhara naam to likha hoga bas yahi kafi
hai.. hahaha ,chalo beta ab tum aaram karlo Tum bahut thak gaye ho..

(Fakir Amal ko Chadar odha Kar Ja Hi Raha hota Hai utane mein Madhav ki entry Hoti Hai
gusse mein)

SCENE:- 11

Madhav:- Tum logon Ne ye kya Hungama khada kar rakha hai ?


Fakir:- kyon Kya Ho Gaya ?

Madhav:- Tum logon Ne yah afwah faila rakhi hai ki Raja ne ye dakghar Tum logon Ko chhitti
likhane ke liye khola hai…

Fakir:- agar aisa hai bhi, to Kya Ho Gaya ?

Madhav:- Us Chaudhari ne, ek gumnam chitthi likhkar ye baat Raja Tak pahuncha Di Hai…

Fakir:- Raja ke pass to sabhi baten pahunchti Hain, ye kya Ham nahin jante…

Madhav:- lekin tum log sambhal kar baten kyon nahin karte, Raja rajwado ka naam lekar aisi
baten kyon banate Ho, Tum logon Ne to mujhe kafi mushkil mein Dal Diya Hai…

Amal:- Raja Ji humse gussa Hain ?

Fakir:- inke kahane se thodi Ho Gaye naraj, aise kaise naraj Ho jaenge, mujh Jaise fakir se
aur tum jaise bacche se naraj hokar, unhen apna rajpaath nahin chalana kya…

Amal:- Aaj savere se Na Rahe rah Kar Meri Aankhen band hoti jaati Hain, Aisa lagta Hai ki
sab kuchh Sapna Hai Ji chahta Hai ki Main Aisa Hi padha raha hun, mera man karta hai ki
kuchh Na bolu.. Raja Se Meri chhitti nhi aayegi.?

Fakir:- chitthi jarur aaegi, Aaj hi aaegi mere bacche… Aaj hi aaegi…

(Ab vaid ji entry hoti hai)

Vaid ji:- Madhav… bhyii Madhav kaha ho?

(Madhav Amal ki taraf hath karte hue bolata hai)

Madhav:- vaid ji..!

Vaid ji:- Amal… Kaisa lag raha hai ?

Amal:- aisa lag raha hai ki Sara Dard mit gaya ho…

Vaid ji:- Bahar to nahin gaye the khelne ?

Amal:- nahin..!

Vaid;- theek hai..!

(Vaid ji Madhav ko thoda side mein le jakar bolate Hain)

Vaid ji:- Madhav, yebHansi acchi nahin Hai, ye Jo Kah Raha Hai ye sunne mein achcha lag
raha hai, lekin bahut kharab lakshan hai, Chakradhar ne kaha hai…
Madhav:- vaid ji Chakradhar ko abhi Rahane hi dijiye, bas yahi bataiye ki baat kya hai ?

Vaid ji:- Madhav mujhe lagta hai ki ab ise bandh ke Na Rakha jaega, Main to mana kar gaya
tha lekin Bahar ki hawa lag Gai…

Madhav:- nahin nahin vaid Ji Maine ise bade sambhal ke Rakha Hai, Bahar to jaane hi nahin
diya, main darvaja Aksar band rakhta hun..

Vaid ji:- per Aaj Na jaane ye kaisi hawa chal rahi hai tumhare darvaje ke aage se sar sar
hawa Bhari Hai, Main khud dekh Kar aaya hun, Madhav Aisa bilkul nahin chalega Tala kundi
lagakar Bahar ka darvaja bilkul band kardo..aur do teen Dinon ke liye logon ka aana jana
bilkul band kardo, aur han ye khidki bhi band kar do isase aati Hui Suraj ki Roshani se rogi ki
nind ujad jaati Ha,i nind bahut avashyak hai Madhav bahut avashyak hai…

Madhav:- vaid ji.. Amal ne apni Aankhen band kar rakhi hai, uska chehra dekhkar aisa lagta
hai ki..main use ab aur nahin Rakh paunga…

Vaid ji:- are Madhav ye kya, Chaudhari tumhare ghar a raha hai, bhyii ye kya Hungama
macha Rakha Hai, Bhai Main to chalta hun.. ghar jakar dawai Goli bhijwa deta hun, aur ye
khidki jaldi band kar do…

(Vaid ji chale jaate Hain aur Madhav khidki band karke darvaja band karne hi jata Hai utane
mein Hi Chaudhari a jata hai aur Madhav hath jodte hue bolata hai)

Madhav:- Chaudhari ji..!

(Chaudhari amal se bolta hai)

Chaudhari:- kyon re ladke ?

Fakir:- shhh…

Amal:- nahin fakir, Tum samajhte Ho ki main so raha hun nahin main sab kuchh Sun sakta
hun, main dur dur ki baten bhi Sun sakta hun..!

Chaudhari:- are Madhav Datt, aajkal tumhari bahut bade bade logon ke Sath rishtedari chal
rahi hai..

Madhav:- kaisi baat karte hain Chaudhari ji, Aisa majak mat kijiye, ham log to bade hi
mamuli aadami hain…

Chaudhari:- achcha per tumhare ye ladka to, Raja ki chitthi ka intezar kar raha hai…

Madhav:- ye to baccha Hai, pagal Hai, iski baat per kyon Dhyan dete Hain…!
Chaudhari:- nahin nahin ismein achraj ki koi baat nahin hai, ab tumhare ghar Jaise itna
badhiya Ghar, Raja aur kahan payenge, dekhte nahin tumhari khidki ke theek samne Raja
ka naya dakghar khula hai…

(Chaudhari Amal ke pass aate hue bolata hai)

Chaudhari :- Aee ladke, tumhari Naam ki chitthi aayi hai..!

Amal:- Sach..?

Chaudhari:- Sach nahin to aur kya, tumhara aur Raja ka Dostana jo hai, hahaha..ye Rahi
Raja ki chitthi, lo…

(Amal chitthi ko dekhte huye bolata hai)

Amal:- mujhse majak Na Karo Chaudhari ji, fakir Tum batao na ye Raja ki chhitti hi hai ?

Fakir:- han beta, main fakir hokar kahta hun, ye unhin ki chhitti Hai..!

Amal:- lekin Main to ismein kuchh nahin dekh Pa Raha, Meri aankhon mein Aaj sab kuchh
safed dikhai pad raha hai, Chaudhari ji batao na ye chitthi mein kya likha hai ?

Chaudhari:- Raja ne likha hai ki.. main aaj ya kal mein tumhare ghar a raha hun, aur mere
liye tum log chana chabena ka intejaam karke rakhna… Raj Mahal mein Ab unka bilkul bhi
man nahin lagta..Hahaha…

Madhav:- Chaudhari ji aapse hath jodkar vinati hai, aisa Hansi majak mat kariye…

Fakir:- Hansi majak..? Kaisa Hansi majak, inki majal hai ki ye hansi majak kar sake…

Madhav:- dadaji Ab Tum bhi pagal Ho Gaye Ho Kya..?

Fakir:- han.. Ho Gaya Hun Main pagal isliye mujhe is Saade kagaj per sare Akshar saaf saaf
dikhai de rahe hain…Raja ne likha hai ki vo khud Amal se milane a rahe hain, sath mein Raj
Vaidya ko bhi La rahe hain…

Amal:- Suno fakir suno, unke baje baj Rahe Hain, Tum Sun nahin paate ?

Chaudhari:- hahaha..! Thoda aur pagal hoye Bina, vo Sun nahin payenge hahaha..!

Amal:- Chaudhari ji pahle main samajhta tha ki tum mujhse naraj Ho, Tum mujhse pyar
nahin karte, lekin tum sach mein Raja ki chitthi Le aaoge, ye Maine sach mein nahin socha
tha…!

Chaudhari:- chalo.. is ladke mein shradha bhakti to Hai, akal na Sahi per.. Man ka saccha
hai…
(Ghanta bajane ki awaz aati Hai)

Amal:- lagta hai char pahar beet Gaye, ye Raha Shamka pahle pahar ka ghanta, tan tan
tan..Shamka pehla Tara kya Nikal hai fakir ?

Fakir:- pata nahin baccha.. in logon Ne khidki jo band kar rakhi hai…

Madhav:- vaid ji kah gaye hain, main kya kar sakta hoon..!

SCENE:- 12

(Darwaza khol ke Raja ka sipahi andar aata Hai)

Sipahi:- Maharaj Aaj Raat yahan aaenge..!

Chaudhari:- ye to gajab Ho Gaya..

Amal:- kab sipahi ji ?

Sipahi:- Maharaj Aaj Raat ke dusre pahar yahan aaenge..

Amal:- jab Mera dost Bahar ghanta bajaega, tan tan tan tabhi ?

Sipahi:- han tabhi.. aur Maharaj yahan unke sabse chhote dost ko dekhne ke liye, Apne
sabse bade rajya Vaid ko yahan bheja Hai…

(Rajya vaid ki entry hoti hai)

Rajya Vaid:- are ye kya, Charon taraf sab band kyon Hai, khol do… khol do jitne khidki
darvaje Hain, sab khol do..(rajya Vaid Amal ke pass Aakar bolate Hain) kaise ho beta ?

Amal:- main bahut achcha hun, aur mujhe koi Rog bhi nahin Hai, aur mujhe kahin Dard bhi
nahin Hai, aur Main Tare bhi dekh sakta hun…

Rajya Vaid:- Aree wahh.. to matlab jab Aadhi Raat Ko Raja aaenge, to Tum bistar ko
chhodkar unke Sath Ja sakog..?

Amal:- han bilkul Ja sakunga.. agar Main Bahar nikalunga, to Meri Jaan mein Jaan aaegi,
main unse puchunga ki mujhe Aasman mein Dhruv Tara dikhayen, Shayad Maine uss Tare
Ko dekha Hai, per kab dekha Hai.. ye nahin pata..

Rajya vaid:- vo tumhen sab kuchh samjha denge..!

Rajya Vaid:- Suno..? ghar ko acche se saaf karke, phoolon Se Saja do, aur Raja ke aane
layak banaa do…

Madhav:- ji
Rajya Vaid:- aur is Chaudhari ko yahan rakhne ki koi jarurat nahin Hai…samjhe..

Amal:- nahin nahin vaid ji ye mere bahut acche dost Hain, inhone hi mujhe vo chitthi di thi,
Raja wali inhen Bahar mat nikaalo…

Rajya vaid:- achcha beta ab jab ye tumhare dost Hain, to Rahe Isi ghar mein…

Madhav:- Amal beta..Raja tumse bahut pyar karte hain, vo khud tumse milane a rahe hain..
Tum Aaj unse kuchh manglena, Tum to jante Hi Ho hamare ghar ki halat acchi nahin Hai…

Amal:- vo to maine kab ka Tay kar liya hai.. uski chinta aap mat karo..!

Madhav:- kya Tay Kar Liya Hai tumne ?

Amal:- ki Main unka ek dakiya banunga, aur unki chittiyan desh Desh Banta firunga.. fufa Ji
hamare ghar mein Raja aane wale hai, to unke khane peene ka bandobast kiya aapne ?

Sipahi:- unhone kaha hai ki, vo tumhare yahan sirf chana chabena hi khaenge…

Amal:- chana chabena? , Chaudhari ji ye aapane pahle hi bol diya tha, aapko Raja Ji ke
bare mein sab kuchh pata hai..!,Bas ham log Ko nahin pata…

Chaudhari:- agar mere ghar Koi jaaye to, vahan khane ke liye kuchh achcha..!

Rajya Vaid:- uski Koi jarurat nahin Hai, Ab tum log Jara shant ho jao..!

(Amal Aankhen band kar leta hai)

Rajya Vaid:- are isko to nind bhi a gai…diye ki Roshani bujha do, ab sirf Aasman Se Hi
Taron ki Roshani aane do…

(Sari lights off Ho jaati Hain bas thoda sa ujala rahata hai)

Madhav:- Dada tum ye muhurt ki tarah kyon khade ho, mujhe to dar Sa lag raha hai, ye Jo
Ho Raha Hai, acche lakshan nahin Hai, in logon Ne mere Ghar mein ye andhera kyon kar
diya ?

Fakir:- chup raho Madhav..!

(Phool wali ladki ki entry hoti hai)

Ladki:- Amal..!

Rajya Vaid:- Shhh..! , vo so gaya hai…

Ladki:- main uske liye ye phool Lai thi..!

Rajya vaid:- achcha to dedo..!


(Ladki phool uske side mein rakhkar bolati hai)

Ladki:- vo kab uthega..!

Rajya Vaid:- abhi turant.. abhi jab Raja Aakar isko pukarenge, tabhi uth jaega…

Ladki:- vo jab bhi jagega..aap usse ek baat kah doge..?

Rajya Vaid:- kya kahana hoga?

Ladki:- usse kahana ki Sudha use bhul hi nahin hai..!!

(Amal Mar chuka hota hai sabhi ke chehre udaas hote Hain aur Bengali music play hota Hai)

THE END

You might also like