Law of Convservation
Law of Convservation
Aniket Mane
true events
"Iss bhraman mai pruthivi ka
nirman 4.5 cror saal pehele hua .
insaan ko aaye hue toh buss 6.6
cror saal hue hai. samjhdhari
75 hazar saal pehele aayi. jaha
tor tarike aaye, insaano ne gav
basaye , aur ache se rehene lage
. goor karne wali baad ye hai .
agar pruthvi k jeevan ko humhare
samay se jodh de toh pruthvi k
anusar insaan ne janam liye 20
minute hue , aur samjhdhari
aaye kuch hi pal aaye hai
, dekho , samjh daari se insaan
ne pruthvi ka ye haal kar diya.
sirf, kuch hi pal mai."
SCENE 1 DAY\EXT
Sham ka shamay hai, suraj pahadho k piche chup chuka hai,
bich se beheti nadi mano sona leke chal rahi hai . 2 log
naadi k kinare badh rahe hai, thandi hawa behe rahi hai ,
aakash ek tarfa neela hai aur dusari tarf lal . jaise dono
nadi k taraf badh rahe hai usse pata chala, arvind k
haatho mai kalash hai. bagal mai saafed saari pehene
arvind ki maa dheere dheere chal rahi hai. arvind ne bhi
safedh kurta pehena hai. kinare pe arvind ne kalash aur
rakh ko, naadi mai arpan kar diya aur kalash ko behete
dekh, waha khada raha . maa waha se nikal gayi aur raste
(CONTINUED)
CONTINUED: (2) 2.
ARVIND
chal maa
arvind ko dekhti hai , maa ki aankhe lal hai , wo rote hue
keheti hai
MAA
Heeyyy bhagvaann kyuuu kyuuu
kyyuuuuuu ???? kuy kiya tune aisa
mere sath,kya bigada tha humne
tumhara,sab kaise sambhalungi mai
ab unke bina. kyuuu chinn liya
humse kyuuuu kyyyuuuu
kyyuuuuuuuu???
roote roote maa zameen pe beth gayi . nadi ne zor pakadli,
pani tezi se behene laga, beheta hua pani itna shor kar
raha hai k arvind kuch bhi theek se sunn nahi paa raha ,
arvind maa ko uthne madat karta hai
ARVIND
maa, chalo utho , ghar chalte
hai.
MAA
chuunna maat !! chunna maat ,
chunna maat , tumhe bhi pata hai
ye sab kyu hua hai!
ARVIND
maa !! kya ?
MAA
sab tumhari wajhase hua, aaj
tumhari wajase wo humhare bich
nahi hai. tuuuuummmmmmm!!!!!!!!
haarriiiii
maa rone laagi, phutphut k rone lagi, rote rote achanak
shant ho gayi aur yaha waha dekhne rahi hai.
MAA (cont’d)
nahi jeena ab mujhe , nahi
sambhal sakti mai kuch bhi akele
, mai apni jaan de dungi.
(CONTINUED)
CONTINUED: (3) 3.
sar pe maare jaa rahi hai. arvind samjh nahi paa raha kya
ho raha hai. maa aise kyu bartav kar rahi hai, turant maa
k haath se wo pathar chinne ki koshish karta hai,maa nahi
maan rahi, lekin achanak maa ne dusare haath se pathar
uthaya aur arvind k sar pe zor se mara . arvind piche gir
gaya. maa ghusse mai hai.
MAA
gheen aati hai mujhe khudse , jo
maine tere jaise ko janam diya.
paida hote hi maar jata toh aaj
ye din dekhna nahi padta . tere
jaisa swarthi maine kahi nahi
dekha , tujhe mera beta kehene ko
bhi mujhe sharam aati hai..
shyyyaaaaaa
baat karte karte maa arvind ke sar pe war kare jaa rahi
hai. arvind ko sab lal dikha de raha hai , maa jhatpatate
hue uthti
MAA
akkal nahi thi na unko , teri
chalaki samjh nahi sake , jab
zarurat padti tabhi hum yaad
aate. betaaaaa!!! beta re tu mera
pyara beta , kyu nahi
sooccchhaaaa humare baare mai
bhi, umar nahi hai humari
shangharsh karne ki, tumhare
samne kitni binti ki unhone ,
maine , tumhare bhai ne , lekin
tumne kisi ki bhi nahi sunniiii
betaaaaa!! ab mai bhi tumhari kyu
sunnu ? huuhh? kyuuu !!!!
kyyyuuuu sssuuunnuuuuu betaaaa
betttaaaaaa
ek bada sa pathar utha k arvind ke sar pe daal deti hai..
4.
SCENE 2 DAY/INT
bohot saara pani achanak kahi se gira . arvind hosh mai aa
gaya , dheere dheere aankhe khol raha hai, usse sab
dhundhla dhundhla dikh raha hai , usski aankhe kamzor si
laag rahi hai.sooch raha hai wo yaha kab aur kaise pohoch
gaya, bohot hi kamzor sa mehesus kar raha hai. sab taraf
andhera hai aur samne ek choti si khidhki hai jaha se dher
saari roshni andar aa rahi hai,kamre mai 3 log hai , 2 log
door khade hoke baat kar rahe the aur ek admi arvind k
samne beth k usse ghuure jaa raha hai. arvind ne usse
pehele kahi nahi dekha . .daar laag raha hai,
GANESH
arreeeyyyy chyyaa aailllaaaa ,
zopla hota toh ,
ARVIND
maa
GANESH
kya ?? kya bola tu , hahahaha
tumlogo ko kya laga tum kisi ko
bhi chuitya bana sakta hai
?haaaaaaa
, saala chutiya bana k kaisa
chalega , tumlogo ko maloom nahi
, idhar saale sab tumhare baap
baithe hai , haaaaa .... kya bola
!!! bolna aaayyeeeee
chal bol mera paisa kidhar hai
ARVIND
hhuuhhh !!! maaa
GANESH
fir se maa , maa k pass paisa
hai? bolnnaaaa , mera paisa
kidhar hai ?? mera paisa
kiiiddhhhaaar haaiiii booollllll
arvind poor tarah pareshan hai , sapne mai jo usne dekha,
aur jaha wo abhi hai . zyada daar usse kiss baat ka lagna
chaiye , usse samjh hi nahi aa raha. ganesh usske samne
chillaye jaa raha hai.
ganesh waha pade ek chure ko apne haath mai leta hai , aur
arvind k sharir ko jaga jaga se kaatne lagta hai. arvind
ko katne ka dard se zyada usse dekhne ka daar laag raha
hai , dheere dheere ganesh war kare jaa raha hai, haath pe
, peth pe , sar pe .arvind ko kuch samjh nahi aa raha hai
,wo hil nahi paa raha hai , aisa ek bhi jaga nahi jaha
uske sharir pe khoon nahi , usse bohot buri tarah latka k
maar raha hai . chure pe laaga khoon arvind ko dikha k
ganesh poochta ha
(CONTINUED)
CONTINUED: (2) 5.
GANESH (cont’d)
imandari se paisa diya na tum
logo ko !!!! bol saale mera paisa
kidhar hai !! warna ,
MANIK BHAI
aayeee band kar aayyeee
MANGESH
usse zyada toh tera aawaz mere
kaan chaba rahe hai.
chura bahar nikala, arvind apni poori shakti khoo chuka
hai , bejaan, latak raha hai. usse piche bethe insaan k
shakal jaani pehechani laagi , bachi kuch shakti ka
istamal kar ke wo goor se dekh raha hai,
ARVIND
manik bhai
waha bethe mangesh ko manik bhai kisi ko call karne bolta
hai
MANIK BHAI
call kar k pooch ussko kidhar
pohocha
MANGESH (cont’d)
idhar hi hai 10 min mai pohoch
raha hai .. bolta hai mujhe toh
chod doge na paisa dene k baad
!!!
MANIK BHAI
aaj kal peheli wali dosti rahi
nahi , saale sab ek dusare ko
dosti ki naam pe chutiya bana
rahe hai. insaan ki fikrat hi
(MORE)
(CONTINUED)
CONTINUED: (3) 6.
MANGESH
uppar wale ko koi kaise yeda bana
sakta hai !!
darwaza khatkhataya kisine
MANESH
ayee ganesh jaa , wo aya hai .
ganesh ek ladke ko anadar leke aata hai , usske haatho mao
ek bag hai jo ganesh jaake manik bhai k samne rakhta hai
aur uss ladke ko arvind k baaju mai jaake ghootno pe
bithata hai
daara hua ladka apne dono bhi haath joode apne jaan ki
bheek maang raha hai,
KALPESH
sir mujhe maaf kar do sir !! aisa
fir se nahi hoga sir ,
arvind chauk k usse ladke ko dekhe jaa raha hai
ARVIND
kalpesh
arvind , kalpesh ko waha dekh k aur bhi pareshan hone laga
, usski dil ki dhakan badhne laagi ,
MANGESH
sir please sar mujhe maaf kar do
!!! sar ghar ki halat theek nahi
thi sir , isiliye karna pada .
maa bimar hai sir , usske ilaj k
liye chaiiyeee , siirrr please
sir , ai kabhi aapko apni shakal
nahi dikhaunga sir
GANESH
hahahaha , lo isko bhi maa ki
yaad aa rahi hai ,
KALPESH
bhaiyaa , please bhaiya mujhe
jane do bhai , mai firse aisa
nahi karunga
(CONTINUED)
CONTINUED: (4) 7.
MANIK BHAI
poore hai?
MANGESG
haa
MANIK BHAI
ayeee
ganesh khada hota hai aur sidha kalpesh k mathe pe shoot
karta hai
arvind poori tarike se daara hua hai,usski saase bhaari
hogayi ,saas lene taklif ho rahi hai.
ganesh arvind k aur badhta hai, mathe pe gun rakhta hai
aur shoot karta hai.
8.
SCENE 3 DAY\INT
arvind jhatpatate hue nind se utha , bagal mai uska phone
baaj raha hai ,arvind pasine se latpat ho chuka hai. usski
saase bhari aur aankho mai ghabrahat hai , arvidn phone
uthata hai,
ARVIND
(after a few deep breath) hello
MAYA
kya hua firse wahi sapna dekha?
ARVIND
hhhmmmm
MAYA
gharpe ek bar call q nahi kar
lete
tum.
ARVIND
tu subah subah wahi baat kar k
mera dimagh mat kharab kar.
MAYA
kya thha ? yaad hai?
arvind ek geheri saas leta hai , aankhe band kar k keheta
hai
ARVIND
nahi !!!
MAYA
kya
ARVIND
pata nahi
MAYA
gharpe ek bar call q nahi kar
lete
ARVIND
dekhta hu kal maa ko karta hu
MAYA
sirf 70 saal hue hai arvind desh
ko azad hoke , jo hazaro saalo se
gulam tha,itne jaldi log darrna
nahi chod sakte. aaj baat kar lo
ek bar tassali ho jayegi.
(CONTINUED)
CONTINUED: (2) 9.
ARVIND
tu mujhe mat bata tassallii
vasaalli hogi , wo fir se phone
pe ghar aane ke liye kahegi,
mujhe bar bar naa kehene acha
nahi lagta, din bhar bura laagega
mujhe.pehele dusre important
problem se bahar niklu .
kuch pal shant rehene k baad
MAYA
hhmmm kuch progress hua ?
ARVIND bhi shant ho jata hai
ARVIND
kuchh hai, lekin pakka nahi malum
kuchh helpful hoga ke nahi, wo
mangesh bola hai ke usko kuchh
toh mila hai wo mujhe madad
Karega
MAYA
yaar kitne bar tumko batatu,
dosto pe bharosa mat karo, khud
bhi kuchh karo.pehle bhi ek
dhokha khaya hai, bar bar khana
achha lagta hai kya?
ARVIND
aaaayyyeeee tu muze maat
sikha,kaise kya karne ka . kidhar
hai tu? office ja rahi hai na ,
thik hai bad mai baat karta hu
tuzse.tera awaz bhi nahi aa raha
hai theek se
MAYA
gussa q karte ho,achha thik hai
chaye pee lena aur jyada tension
mat lena,ghar pe maat rehena,
kahi bahar ghoom aaoo
ARVIND
ha ek do jagah jana hai,rent ka
jugad karne . achha thik hai chal
rakhta hu
arvind ne cigrate jalai , aur fir se apne kahayalo mai
khoo gaya . wo apne taklif k baare mai soch raha hai aur
tabhi usse ek call aata hai , jisse dekh k uska mood aur
bhi zyada kaharab hota hai
ARVIND
fuck bc isko bhi abhi call karna
tha (he recieves the call and
talks in very soft tone)
(CONTINUED)
CONTINUED: (3) 10.
ARVIND
haa jee sir boliye ,
ha mai karta hu na ,
at least do mahine ka to time do
muze ,
areyy sirf aapka hi thodi duba
hamara bhi to duba hai ,
aap bhi to uss aadmi ko jante
the, kyas aapko malum tha wo
bhagne wala hai,
ha muze do mahine ka time do mai
karta hu kuch , (long pause,
wo admi arvind ko dhamka raha
hai) ha karo jo karna hai wo ,
mai bhi karta hu apni tarf se
sabki GA ( he controls) sabki
marunga.
ha ja sale ja , tereko jidhar
jana hai udhar ja ,
maine kidhar bola, aap ne hi to
bola,
mai to baat hi nahi kar raha
police k pass jane ki,
ha muze time do 2 mahine ka ,
kuchh na kuchh to karta hu,
haaaa aaaa aaaannnaaa areeyy aap
bhi toh dhamka rahe hai mujhe,
maine aapko bola na ,
paise mere bhi doobe hia ,
fir bhi aapko aapke paise lota
dunga ,
thoda time toh do aap ,
ha ha de dunga
2 mahine
2 mahine
haa chalo abhi rakhta hu, haa ha
2 mahina ,1 mahina nahi
chilaa chilaa k arvind niche balcony mai beth jata hai kyu
k wo tabse balcony mai hi chilla chilla k baat kar raha
hota hai , wo ek aur cigrate jalata hai , apne maatheko
pakade yaha waha dekta reheta hai aur tabhi uski nazar
uski pados wale balcony mai padi , waha ek chota bacha
khade reheke usse dekh raha hota hai , arvind ghusse se
andar aata hai, nasha karta hai
11.
SCENE 4
suraj ki kirne dharti ko chu rahi hai, chidiya aapne
aapne ghosalo se kane ki talash mai nikal rahe hai , din
ki shurwat dheere dheere ho rahi hai. sama ekdum shant hai
, aur apne building k chhaath se arvind prakruti ki
adhbhut kalakri dekh raha hai , mehesus kar raha hai,
bagal mai jab wo mudta hai waha uska bhai betha hai jo
usse dekh k muskura raha hai .
AJINKYA
Yaad hai baba humhe yaha har
subha laya karte the. Hahaha
vitamin d . Mai baba k iss taraf
aur aap uss taraf .Acha lagta tha
mujhe yaha bethna .. Aap mai aur
baba .. Meri hifazat karne mujhse
baade 2 log hai . Unke hote,
mujhe aur maa ko kuch nahi ho
sakta. Safe feel karta tha mai
aap dono k bich .koi daar
nahi.Mai isiliye yaha aata tha..
Chunauti dene isse ( pointing
towards the sun). Kuch kehena
chate the wo. Huuhhhh kitne kush
the hum .. Sab ache se chal raha
tha. Lekin jaise jaise baade hote
jaye , naa jane kya hone laga.
Sab bikhar gaya. Daar badhne
laga.baba Yaha kyu laya karte the
shayad aaj samjh mai aa raha hai.
yaha isiliye aate the. Daar
mitane. Maa theek hi keheti thi.
Humhare ghar ko kisi ki nazar
laagi hai. Aur ye sab ka karan
koi aur nahi,apna hi hai. Pata
nahi kya mila ye kar k. Chizzo ko
ache se haal kiya jaa sakta tha.
Huuiihhh khair Lekin aaj meri jo
bhi sochh hai wo aapke wajhase
hai. Aapne mujhe sahi rasta
dikhaya hai bhaiya. Mai bhi wahi
karunga jo mujhe theek lagega. Jo
mere liye sahi hai. Sab se badla
lunga .. Shurwat aapse karunga.
Aapko mere baba ko maarna nahi
chaiye tha ..
aur wo arvind ko chat se niche dhakka maar deta hai
12.
SCENE 5 DAY/INT
arvind ekdum se jaag jata hai !! wo apne bistar mai nahi
balke zameen pe hai , wahi jaha kal subha nasha kar raha
tha, tab ka soya arvind poore 2 din baad uthta hai. uske
dono phone pe maya k 100 se bhi zyada miss call hai , aur
maa k dugane miss call . tabhi maya ka fir se call aata
hai
MAYA
Kaha ho yaar , 2 din se tumhe phn
try kar rahi hu , kaha ho ? ghar
bhi aayi thi ,tumhare dost ka
call aaya tha mujhe , tumhare
papa hospital mai hai , tumhari
maa se baat karo 2 din se call
kar rahi hai tumhe . Arvind
arvind are you there ? Theek toh
ho tum ?
ARVIND
Haa
MAYA
jaldi niklo ... I am on my way
13.
SCENE 6 A
Arvind train mai wapass ghar aa raha hai .. Uske mu pe
maar lagi hai . train tunnel se guzar rahi hai . Aur
arvind jo hua uske baare mai sooch raha hai ... Jaise wo
apne ghar pohocha usse waha sab log safed kapdo mai
Ajinkya (uska bhai), arvind ko kahi le jata hai ..
14.
SCENE 6 B
Dono kahi door , ek dusare ko maar rahe hai, arvind apne
bhai ko maar raha hai .. Aur uska bhai bhi bich bich mai
maar raha hai ..
AJINKYA
Bharosa karne layak hi nahi hai
tu.Maa ko shakal bhi nahi dekhni
teri . Aukad nahi hai teri yaha
aane ki.
ARVIND
Meri aukad nikalega tu Aur wo zor
se marne lagta hai
AJINKYA (cont’d)
Kabhi dekha hai? Ghar ki halat
kya ho gayi thi? Koi hasta nahi
tha. Pitaji tumhari ek awaz sunne
tadap the. Bohot koshish ki maine
dono ko khush karne ki, Padhai
ache se ki, Acha beta banne ki
poori koshish ki lekin unko toh
buss aap hi khush kar sakte ho
.Meri mehenat ko yaha aake barba
maat kar. Maa ko firse unmeed
maat do. Jo tu poora nahi kar
payega. Nahi dekh sakta roote hue
unko.aur tu unko firse rulayega,
kyu tu unko kabhi nahi samjh
payega.
ARVIND
Kabhi ghar wale mujhe samjhe hai
?
arvind, ajinkya ka gala daba raha rahi , ajinkya apni
poori takad laga k khud ko chudata hai
AJINKYA
Kabhi tune unko samjhne ki
koshish ki hai ? Tu kabhi kisi
aur k baare mai nahi soch sakta
.. Tu buss apne baare mai sochta
hai..swarthi saale. tuje buss
khudse hi pyar hai. app kisi k
saath rehene k layak nahi. papa
ko tujhse baat karni thi, tujhse
maafi mangne khat bhi bheja.
lekin tune apni aukad dikha hi di
na. Maa kal se call kar rahi hai
.. Lekin tu wahi ka wahi ... Sab
teri wajhase hua hai aaj papa
sirf teri wajhase nahi hai ..
Ye sunn k arvind chauk jata hai. Ajinkya ek lambi saas
leta hai pade pade . Bagal mai ek pathar hta hai , ajinkya
uss pathar se arvind ko marta hai
(CONTINUED)
CONTINUED: (2) 15.
AJINKYA (cont’d)
yaha wapas kabhi maat aana ..
Saale swarti
16.
SCENE 7
train ki speed jaise jaise badh rahi hai vaise vaise
arvind ka ghussa badh raha hai .. Tunnel k baahar aate hi
sab jaga ujala ..
17.
SCENE 9
ek mandir mai arvind betha hai .. uske haath khat kholne
kaap rahe hai .. usne himmat kar k khat khola .. aur
padhne laga
PAPA
bete, Aaj ek saal ho gaya hai tu
ghar chhode, tabse baat hi nahi
kar paaye hai hum. jhagda nahi
karna tha tumse, lekin baaton
baaton ne kab jhagdo ka mode le
liya samajh hi nahi aaya. Shayad
isse hi male ego kehte hai.
himmat hi nahi ho rahi tumse baat
karne ki , isliye yeh khat likh
raha hoon.
Tumhari amma se pata chalta hai,
tum khush ho . achha lagta hai.
jo gaaltiyaan maine ki, woh tum
na karo yahi meri koshish rahi.
Umar hi vaisi hoti hai. achi
parvarish se hi paudha, pedh
banta hai. Aaj galati ka ehsaas
hota hai. wo meri fikar nahi,
mera daar tha, podhe ko keede
lagne ka darr, Mujhe meri zidd
par adde nahi rehna chahiye tha.
Tab samajh mein aaya baap kya
hota hai jab tumhe apne haatho
mei liya, woh khushi kuch alag hi
thi, yeh meri aulaad hai. jab tum
baap banoge tabhi samajhoge.
Humari zindagi toh tumare dadaji
k kehne se chali, lekin meri yehi
soch galat hai. badalte waqt k
sath, soch bhi badalni chahiye
thi. Tumhari amma ne pehle hi
kaha, lekin samjha zara der se.
Kuch baatein hai jo tumko batana
chahta hoon, kuch tumhare dadaji
ne aur kuch zindagi ne sikhaayi.
Tumhe lecture nahi dena chahta,
lekin kuch dino se ajeeb si
hulchul ho rahi hai dil mein, tum
theek toh ho?
samay k isss raha mai log akhbar
ki tarah roz naye aate hai. lekin
hum kuch khaas akhbaar k kuch
khass panno ko apne pass rakhte
hai , Ho sake toh kum panno ko
leke chalna, peeth pe bojh badh
jayega, bojh badhne pe safar mai
thakan mehesus hoti hai.aur
yakeen mano beta zindagi bohot
lambi hai .
Ek anjaan mode pe tum zarur khade
(MORE)
(CONTINUED)
CONTINUED: (2) 19.
PAPA (cont’d)
rahoge, jaha tum apne aap ko
bilkul akela paoge, lekin ek aisa
saathi hoga jo tumhe hamesha
raasta dikhaayega.
Tumhara waqt. Woh sirf aur sirf
tumhara hai, koi isse tumse
chheen nahi sakta. wo ek aisa
dost hai jo tumhara saaya banke
tumhare saath chalega. musibate
dur se dekh lega. aur usse tumtak
aane se pehele hi haal karne
lagega. Usske zindagi ka ahem
hissa ho tum . kyu k wo sirf
tumahara hai. Waqt bohot hi nazuk
sa hota hai,hum usse bharosa aur
vishwas ke ek bohot hi patle
dhaage se jude hai jaha bharosa
kum hote hi dhaaga toot jaayega.
apne dost ka bharosa kabhi maat
todhna. Salha dene wala har
insaan tumhare sachai se wakif
nahi hota, tum khud ko sab se
behtar jaante ho.
mera ghussa kabhi bhi tum dono
par nahi tha , khud ki kamzori hi
meri ghussse ki wajha thi. apni
parviwar ki zarurat hi poori nahi
kar saka. tumhe bina samjhaye
tumse samjhadhari ki umeed karne
laga. lekin accha lagta hai jab
bete ne baap ko galat saabit kar
diya,dil se nikli hui baat ki
razamandi jab dimaag deta hai
usee koi nahi roh sakta. ek baat
tumnhe ache se samjha di , pyaar
karna acchi baat hai, lekin itna
nahi karna chahiye jisse ghootan
mehsus ho, Kaash tabhi gussa nahi
kiya hota. Sivay tum dono k
humare liye yaha kuch nahi hai ..
Isiliye fikar ,zidd ban gayi.
Mere zid ne mujhe bohot se
anubhav diye.lekin ek baat sikhai
Musibat k waqt jo saath khada
hota hai, wo parivar hai ..
Tumhare sapne humne humari
zimmesariyo k daar se poore nahi
kiye , lekin tum aisa maat karna.
dariya mai kudhe ho toh bus tair
k bahar nikalna .. Mai hu hamesha
tumhare saath .. Ho sake toh
wapis aa jao, ya kabhi kabhi ghar
aa jaya karo. Hum tumse hamesha
se pyaar karte hai aur karte
rahenge.
Tumhare Papa.
20.
arvind daar gaya , kaun hai piche ,usne apne kaan aur bhi
kaass k band kar diye,arvind buri tarah se kaap raha hai,
awaz dheere dheere piche se chal ke bagal se aane laagi
aur dheere samne se , arvind kaan band kar k niche jhukk k
betha hai daara hua ,
(CONTINUED)
CONTINUED: (2) 21.
STANU
zarur !!!
Stanu fir se arvind ko dekhe jaa raha hai..
ARVIND
Huuhhhhh!!!!!
Pani pee k zarur rahat mili usse ..stanu ne apne baste
se patte nikale aur unhe kutthne laga . kuch der tak
arvind ki achi nirakahan k baad stanu bola
(CONTINUED)
CONTINUED: (2) 23.
STANU
Kalyug mai,aapne aap ko
pane vastav se door ,humhe
prakruti se acha sathi koi
nahi.lekin apne aap se door bhaag
rahe insaan ki madat prakruti
kabhi nahi karti
Arvind stanu k aur dekhta hai... stanu arvind k thoda pass
jata hai , maachis usse dete hue isharo se chilum jalane
keheta hai. arvind chilum jalata hai
STANU
har har mahadev !!!!
chilum jalte waqt arvind k haath kaaap rahe hai .ek lamba
cush khich ke ,aankhe band kar k ,dheere apne naak se dhua
chodhte hue
STANU (cont’d)
om shiv shumbho!!! om shiv
shumbho!!
STANU (cont’d)
piyoge? .
fir se na ka ishara karta hai
arvind fir se na ka ishara karta hai
(CONTINUED)
CONTINUED: (3) 24.
uss kidhe ko maar deta hai , fir se pedh kaatne lagta hai
. ye dekh k stanu apni aankhe band karta hai.
kuch der ped kaatne k wo admi wahi apne parwar k saath
chav mai beth gaya . uske biwi ne khana nikala aur wahi se
kuch paate todh k khana parosa . tino ne peth bhar k khana
khaya . pani piya aur abhi susti laag rahi hai. ussne kuch
aur naye paatte zameen pe bichaye . aur uske biwi ne
kaati hui lakdiya ekatha ki , apne pote ko kamar pe utha
ke ,lakdiya sar pe rakh k, sara saman sameth k nikal gayi
. buddha admi wahi chav mai sso gaya .
25.
SCENE 14 DAY\EXT
STANU
adhbudh!!shandar ,om namo shivay
om namho shivaya!!!!
stanu ek lambi saas lete hue , prakruti ko dekhte hue
keheta hai
STANU
Pata hai kuch saal pehele yaha
kuch nahi tha bus ek ghana
jungle.door door tak ek lamba
hara bhara rasta, mano pedh ki
etto se banaya , level mai.
lekin ab raste mai bohot saare
gaddhe aa gaye. shayad se uppar
wale ki sarkar mai
bhi bharshatachar ne jaga
banali. haha!! sansaar ka shishya
hone k naate, Yeh mere liye zyada
ehem hai. Yeh aakash kitna vishal
hai. ghanto inn hawao ko mehsus
kar sakta hoon.
Stanu ek do badi muskurahato k baad neeche sar jhukaaye
bolta hai
STANU (cont’d)
kyu k jaldi ye drushya badalne
wala hai... prakruti humari maa
hai ,Maa hamesha apne baacho jo
bhi uska hai wo sab deti hai..
Bina kisi umeed k.. aur baache!
dekho , jaise hi thode par kya
nikle apni maa ko hi bhool gaye.
maa sabka khayal rakhti hai, Apna
bhi rakh hi legi .. hhu !! Hai
na?
STANU (cont’d)
hai, humhe kitna kuch seekhna
baaki hai. Hum kisi aise ka hissa
hai jo humse bohot bada hai.Kitna
kum jaante hai hum ,lekin humhe
lagta hai hum bohot kuch jaante
hai !!!!
Stanu Arvind ko dekh raha hai, Arvind udaas hai. Woh usse
poochta hai.
STANU
Ghar mein kaun kaun hai?
Arvind apna sar hilaate hue na karta hai.
STANU
hhmmm
STANU
samjh sakta hu tum yaha kya kar
rahe ho. chhote hone ke ehsas se
hi humhe bada banne ki prerna
milti hai.
STANU
Kya insaan vakeyi itna samjhdar
hai ? ya gadho ke me bich khachar
raja . beshak bohot saare
avishkar insaniyaat k liye labh
dhayak hai jo insaan ko maut ke
mu se bahar nikalti hai , lekin
uska santulan banaye rakhne,
baade hatyaro ka avikashar bhi
humne hi kiya . yeahh hai
samjhdari ? ye sab humhe kuch hi
oal mai kiya hai. kyu k har
samjhdar insaan ko ye pata hota
"har kirya ki, pratikriya hoti
hai.
door ghat k sadko se ek gaadi guzar rahi hai , bich mai
kaachi zameen thi jo unhe dikha nahi di aur gaadi k piche
k paiye dono, ek baade se gadhe mai gir gaye , gadi aadhi
uppar aur aadhi niche , 3 log gadi mai se pareshan bahar
nikle , pareshan , ghabraye hue , badbad karte hue. aur
tino gaadi ko nikalne ki tarkib soochne laage.
ek ladka fir se gadi mai beth k usse bahar nikalne ki
koshish kar raha hai. zor se acci bada ke. lekin paiye
wahi ghoom rahe hai, haawe mai.
STANU
har kriya k liye shakti ki
zarurat hoti hai ,
(CONTINUED)
CONTINUED: (3) 28.
STANU (cont’d)
iss bhraman mai aisa koi bhi kaam
nahi jo bina shakti ke kiya jaye.
shaktise hi ye sansar hai. jo bhi
hum dekh , sun , mehesus aur
samjh sakte hai, yeah Pedh ,
Paudhe, pahadh , pani , pashu,
pakshi, mujhme tummhe sab
mai shakti hai .lekin is shakti
ka sab se bada sadhn hai dharti
maa .
ek aur gaadi waha se guzar rahi hai , driver ne fassi hui
gaadi ka haal dekh k unhe madat karne bahar uttra . bohot
saari sooch vichar badli jaa rahi thi . koi gaadi k pichle
taraf ki zameen khodh raha hai , toh kabhi koi paiyo k
niche pathar daal rahe hai. fir se koshish gadi bahar
nikalne ki , lekin paiye wahi hawa mai ghoom rahe hai .
construction site pe mazdur nikale , waha se guzar hi rahe
the , sab gadi k waha gaye , kuch baate hui unhme , aur
sab gaadi ko haatho se ek saath uthane laga .
PEOPLE
har har maha dev , haar haar
mahadev .!!!!
STANU (cont’d)
way u feel .. And the way u feel
is the way u think
STANU
Maut humara ant nahi. Bas hum
mein badlao aane wala hai. ye
chakra aise hi chalte rahega,
bhavishya banane humhe humara aaj
saachai se jeena hoga .