0% found this document useful (0 votes)
11 views15 pages

Salamathi Ka Rasstha

The document discusses the concept of creation and the necessity of a creator, using analogies from everyday life to illustrate that complex systems, like a shop or a factory, cannot exist without a responsible creator. It emphasizes that just as a shop cannot operate without a shopkeeper, the universe and all its components cannot function without a divine creator. The author argues that acknowledging the existence of such a creator is a matter of rational thought and understanding of the natural order.

Uploaded by

nousheenji123
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
11 views15 pages

Salamathi Ka Rasstha

The document discusses the concept of creation and the necessity of a creator, using analogies from everyday life to illustrate that complex systems, like a shop or a factory, cannot exist without a responsible creator. It emphasizes that just as a shop cannot operate without a shopkeeper, the universe and all its components cannot function without a divine creator. The author argues that acknowledging the existence of such a creator is a matter of rational thought and understanding of the natural order.

Uploaded by

nousheenji123
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 15

Salamathi Ka Rastha

Moulana Sayeed Abulala Maududi_


Rahmatullah

1
2

Salamathi ka Rastha

Sahabo! Agar koi shaks aap se kahey ke bazar mein ek dukan aisi hy , jis ka koi
dukandar nahi hy , dukan khudbakhud chal rahi hy , khudbakhud us mein maal ajatha
hy aur khudbakhud kharidaro ke hath farvaqth hojatha hy ' tho kya aap us shaks ki
bath maan lenge? kya aap tasleem kar lenge ke kisi dukan mein maal lane vale ke
baghair khudbakhud bhi maal aasaktha hy? maal bechne vale ke baghair
khudbakhud maal farvaqth bhi ho saktha hy_ Hifazath karne vale ke baghair
khudbakhud chori aur lut se mehfuz rah saktha hy? Aapne dil se phuchiye, aisi baat
aap kabhi maan sakthe hy? jis ke hosh va havas tikane ho, kya us ki akhaal mein ye
baat kabhi asakthi hy ke koi dukan dunya mein aisi bhi hogi?
Farz kijiye, ek shaks aap se kehtha hy ke us shaher mein ek karkhana hy, jis ka
naa koi malik hy, na, na musthari_Sara karkhana khudbakhud khayam hogaya hy_
Sari Meshine khud hi ban gaye_ Khud hi sare purjhe aapni aapni jaghah lagh bhi
gaye, khud hi sari meshine chal rahi hy ' aur khud hi un mein se ajeeb aajeeb cheeze
baan baan kar nikal bhi rahi hy _ sach bataeye, jo shaks aap se ye baat kahega, aap
hairath se us ka munh naa takne lagenge? aap ko ye shub naa hogo ke us ka dimag
kahi kharab tho nahi hogaya? kya ek pagal ke siwa aisi behuvda baat koi kah saktha
hy?
Dur ki misaalok ko chodiye_ Ye bijli ka bulb jo aap ke samne jal raha hy , kya
kisi ke kehne se aap ye maan sakthe hy ke roshni us bulb mein aap se aap paida ho
jathi hy, ye kursi jo aap ke samne rakhi hy, kya kisi bade se bade fazal falsfi ke kehne
se bhi aap ye bavar kar sakthe hy ke ye khudbakhud ban gae hy? Ye kapde jo aap
pahene hua hy, kya kisi ke kehne se bhi aap ye tasleem karne ke liye tayar ho jayenge
ke in ko kisi ne buna nahi hy, ye khudbakhud bun gaye hy? Ye ghar jo aap ke samne
khade hy agar tamam dunya ki university ke professor mil kar bhi aap ko yakheen
dilaye ke un gharo ko kisi ne nahi banaya hy, balke ye khud ban gaye hy, tu kya un ke
yakheen dikane se aap ko esi laguviyath par yakheen aajayega?
Ye chand misale aap ke samne ki hy raat din jin cheezo ko aap dekhthe hy unhi
mein se chand ek mein ne bayan ki hy_Ab gaor kijiye, ek mamuli dukan ke muthaluk
jab aap ki aakhal ye nahi maan sakthi ke vo kisi qhayam karne vale ke baghair
qhayam ho gae aur kisi chalne vale ke baghair chal rahi hy_Jab ek zara se karkhane
ke muthaluq aap ye manne ke liye tayar nahi ho sakthe ke vo kisi banane vale ke
baghair ban jayega aur kisi chalne vale ke baghair chaltha rahega toh ye zameen va
asman ka zabardast karkhana,jo aap ke samne chal raha hy, jis mein chandh aur suraj
aur bade bade sayyare ghadi ke purze ki tarah harkath kar rahe hy_ Jis mein
samandaro se baha paish utathi hy_Bhapo se badal bante hy,Badalo ko hawaye uda
kar zameen ke kone kone mein pailathi hy_Phir unko munasib waqth par tiktak
pahuncha kar dubarah bhaap se pani banaya jatha hy_Phir vo pani barish ke khatro ki
surath mein zameen par giraya jatha hy_Phur us barish ki badavlath murdha zameen
ke peet se tarah tarah ke lahlahate hua darakth nikle jathe hy,khisam khisam ke
ghalle, rang ba rang ke phal aur vaza vaza ke phul paida kiye jathe hy_Us karkhane ke
muthaluq aap ye kaise maan sakthe hy ke ye sab kuch kisi banane vale ke baghair

2
3

khud ban gaya aur kisi chalne vale ke baghair khud chal raha hy_Ek zara si kursi,ek
ghuzbar kapde ,ek chotisi devar ke muthaluq koi keh de ke ye cheeze khud bani
hy,toh aap favraan faisla kardenge ke is ka dimag chal gaya hy_Phir bhala us shaks
ke dimag ki kharabi mein kya shak ho saktha hy jo kehtha hy ke zameen khud ban
gae,janvaar khud paida hogaye insaan jaisi hairath angheez cheez aap se aap ban kar
khadi hogae _
Admi ka jism jin aaza(parts) se mil kar bana hy ,un sab ko science dano ne
alag alag kar ke dekha toh malum hua ke kuch lovha hy,kuch koila, kuch ghandak,
kuch phosphorus,kuch kilshim,kuch namak, chand gases aur baas aisi hi chand aur
cheeze,jin ka majmue khimat chand rupeeyo se zyada nahi hy_Ye cheeze jithne jithne
vazan ke sath admi ke jism mein shamil hy, ethne hi vazan ke sath unhe le lijiye aur jis
tarah ji chahe mil kar dekhlijiy_Admi kisi tarkib se na ban sakhega_Phir kisi tarah aap
ki aqhaal ye maan sakthi hy ke un chand be jaan cheezo se dektha suntha bovltha
chaltha phirtha insaan, vo insaan jo hawae jahaz aur radio banatha hy, kisi ka righar ki
huqumath ke baghair khudbakhud banjatha hy?
Kabhi aap ne ghavr kiya ke maa ke pait ki chotisi fikdi mein kis tarah admi
tayar hotha hy?Yap ki karsthani ka us mein koi dakhil nahi,maa ki huqmath ka us
mein koi kaam Nahi_Ek zarasi taili mein do kide jo khurdhbeen baghair dekhe tak nahi
jasakthe , na malum kab aapaas mein mil jathe hy_Maa ke khoon hi se unko ghiza
pahunchni shuru hothi hy , vahi lovha , ghandak , fasfharaas vaghaira tamam cheeze
jinka maine upar ikar kiya hy , ek khaas vazan aur khaas nisbaath ke sath vaha zama
hokar lothda banthi hy , phir us lothde mein jaha ankhein banni chahiye vaha ankhein
banthi hy , jaha kaan banne chahe vaha kaan banthe hy , jaha damag banna , chahiye
vaha damag ban tha hy_Jaha dil banna chahiye vaha dil ban tha hy_ Haddi aapni
jagah par , ghosh aapni jagah par , gharz ek ek purza aapni aapni jagah par tik bait tha
hy_Phir us mein jaan padthi hy, dekhne ki thakhath, sunne ki thakhath, chakne aur
sunghne ki takhath , bolne ki takhath , sonchne aur samajne ki takhath aur kithni
behadh hisaab takhathey us mein bhar jathi hy_Usi tarah jab isaan mukammal hojatha
hy toh pait ki vahi chotisi factory jaha nuv mahine thak vo ban raha tha, khudzovr kar
ke use bahar dakhal dethi hy aur dunya ye dekh kar hairan rahjathi hy ke us factory
mein ek hi tareeqhe se lakhon insaan roz ban kar nikalthe rahethe hy, magar har ek ka
namuna juda hy , shakal juda , rang juda , awaz juda , quvvathe aur qhabilathe juda,
tabiyathe aur khayalath juda , aqlaq aur safath juda_Gharz ek hi pait se nikle hua do
sagge bhai tak ek dusre se nahi milthe_ Ye aisa karshma hy jise dekh kar akhaal
dangh rehjathi hy_Us karshme ko dekh kar bhi jo shaks ye kehtha hy ke ye kaam kisi
zabardast hikmath vale , zabardast qudrath vale, zabardast alim aur be nazir kamalath
rakhne vale khuda ke baghair ho raha hy, ya hosaktha hy, yakheenan us ka damag
durust nahi hy_Us ko aqkhal maand samajna aqkhaal ki tauheen karna hy_Kamaz
kam mai toh aise shaks ko qhabil nahi samajtha ke kisi mahqhul mase par usse
ghuftagu karuoo_

3
4

Tauheed
​Acha,ab zara aur aghe chaliye_Aap mein se har shaks ki aqhal us baat ki gawahi
degi ke dunga mein koi kaam bhi khawa vo chota ho ya bada kabhi bazapthagi
(system) va baqhaedgi se nahi chal saktha _ Jab thak ke koi ek shaks us ke Zimmedar
na ho_ Ek madarse ke do head master , ek ke do director, ek fauj ke do sipah salar ,
ek salthanath ke do raes, ya badshah kabhi aap ne sune hy? aur kahi aisa ho toh aap
samaj the hy ke ek din ke liye bhi intezam tik ho saktha hy ? aap aapni zindagi ke
chote chote mamilath mein us ka tarjuba karthe hy ke jaha ek kaam ko ek se zyada
aadmiyo ki zimmedari par choda jatha hy , vaha sakth bad(bura) intezami hothi hy _
ladae jagde hothe hy aur ahir sajhe ki handiya chura hy parfhut kar rahethi hy _
Intezam , baqhaidhgi , hamvari aur khush asluvbi dunya mein jaha kahi bhi aap
dekhthe hy vaha lazmi taur par koi ek takhath kar farma hothi hy , koi ek hi vajudhba
iktiyar ba aqtedar hotha hy aur kisi ek hi ke hath mein sar rishtekar hotha hy , us ke
baghair intezam ka aap tasavvur nahi kar sakthe hy_
Ye aisi sidhi baat hy ke koi shaks jo thodi akhaal bhi raktha ho, use manne
mein taamil na karega_Is baat ko zahen mein rakh kar zara aapne ghird va paish ki
dunya par nazar daliye_ Ye zabardast kaenath jo aap ke samne paili hue hy, ye
karovdo (lahk) sayyare jo aap ke upar gardish karthe nazar athe hy,ye zameen jis par
aap rahethe hy, ye chand jo ratho ko nikaltha hy,ye suraj jo har roz tulu hotha hy, ye
zohra , ye mirriq, ye athardh, ye mishtari aur ye dusre beshumar tare jo ghendo ki
tarah ghum rahe hy, dekhiye ! un sab ke ghumne mein kaisi sakth baqhiedhgi hy_
kabhi raat aapne waqth se pahele aathi hue aapne dekhi? kabhi din waqth se Pahele
nikla ? kabhi chand zameen se tukraya? kabhi suraj aapna raastha chod kar hata ?
kabhi kisi aur sitare ko aapne ek baal bara bar bhi aapni gardish ki raah se haththe
hua dekha ya suna ? ye karvad ya sayyare jin Mein se baaz hamari zameen se allah ko
ghune bade hy aur suraj se bhi hazaro guneh bade , ye sab ghadi ke purzo ki tarah ek
zabardast zabthe mein kaise hua aur bande hua isab ke mutabiq aapni aapni muqarrar
raftar ke sath aapne aapne muqharrar rasthe par chal rahe hy_ Na kisi ki raftar mein
zara bara bar faraq atha hy naa koi aapne rasthe se baal bara bar tal saktha hy_ Un ke
darmiyan jo nisbathe qhayam kardigae hy_ Agar un ek pal ke liye zara sa faraq bhi
aajaye, toh sara inttezam alim darham barham hojaye jis tarah raele tukrathi hy isi
tarah sayyare ek dusre se tukra jaye_
Ye Toh asmaan ki batein hy_Zara aapni zameen aur aapni zaat par nazar
dal kar dekhiye, is mitti ki ghend par ye sara zindagi ka khel jo aap dekh rahe hy , ye
sab chand bande hua zabthoki badavlath qhayam hy_ Zameen ki kashish ne sari
cheezo ko aapne halqhe mein bandh rakha hy_Ek second ke liye bhi agar vo aapni
girfath chodh diye toh sara karkhana bikhar jaye is karkhane mein jithne galpurze
kaam kar rahe hy, sab ke sab ek khaide ke pabandh mein aur is khaide mein kabhi
faraq nahi atha_ Huva appne khaide ki pabandhi ar rahi hy, pani aapne khaide mein
bandha hua hy_Roshni ke liye jo khaida hy isi ki vo mutti hy_Garmi aur sardi ke liye jo
zabtah hy usi ki vo ghulam hy_ Mitti phatar, dhathe, bijli, steam, darakth,janvar kisi

4
5

mein ye majal nahi ke aapni hadh se badh jaye ya aapni khasitho ko badal de, ya
kaam ko chodh de jo us ke supurdh kiya gaya hy_
Phir aapni aapni hadh ke andar, aapni aapni zabthe ki pabandhi karne ke
sath is karkhane ke sare purjhe ek dusre ke sath mil kar kaam kar rahe hy aur dunya
mein jo kuch bhi ho raha hy, sab isi ki wajah se ho raha hy ke ye sari cheeze aur sari
qhuvvathe milkar kaam kar rahi hy_Ek zara se beej ki hi misaal le lijiye, jis ko aap
zameen mein bovthe hy kabhi parvarish pa kar darakth banhi nahi saktha, jab thak ke
zameen aur asman ki sari quvvqthe milkar usi ki parvaish ein hissa naa le_ Zameen
aapne khazano se is ko gaza dethi hy,suraj usi ki zaroorath ke muthabik use garmi
pahuncha tha hy,pani se jo kuch vo mang tha hy vo pani detha hy,hava se jo kuch vo
talb kartha hy vo hava dethi hy_ Rathe use tandak aur use baham pahunchathi hy,
din use garmi pahuncha kar pokthagi ki taraf le jathe hy_Isi tarah mahino aur baraso
thak musaalsaal ek bakhaidgi ke sath ye sab miljhul kar palthe posthe hy, tab jakar
kahi darakth bantha hy aur us mein phal athe hy_Aapki ye phasle jin ke bal vo bovthe
par aap jhi rahe hy inhe beshumar mokthalif qhuvvqtho ke bala tavaq karne hi ki
wajah se tayar hothi hy_Balke aap khud jindha isi ki wajah se hy ke zameen aur
asman ki tamam takhathe mutthafiq taur par aap ki parvarish mein lagi hue hy_Agra
tanha ek hawa hi us muththafiq ka karobaar alag hojaye toh aap hojaye_Agar
pani,hawa aur garmi ke sath mavafkhath karne se inkar kardetho aap par barish ka ek
khatra naa bars sakhe_ Agar mitti pani ke sath ithefaq karna chodh de toh aap ke
bagh sukh jaye, aapki jhetho kabhi naa pake, aur aapke makam kabhi naa ban sakhe
agar diya salae ki rigad se agh paida hone par razi na ho toh aap ke chule tandhe
hojaye aur aap ke sare karkhane ek lokth bait jaye_Agar loha agh ke sath taluq rakne
se inkar karde toh aap raeel aur motor re toh darkinar ek churi tak na bana sakhe_
Garaz ke sare dunya jis mein aap jhi rahe hy, ye sirf isi vajah se qhayam hy ke is
azeem o shan salthanath ke sare mehekume Puri pabandi ke sath ek dusre se milkar
kaam kar rahe hy aur kisi mahekme ahekar ki ye majal nahi hy ke aapni duty se hath
jaye ya zabthe ke mutabiq dusre mehekmo ke ahel karo se eshtaraak amaal naa kare_
Ye jo kuch maine aap se bayan kiya hy is mein koi bath jhut ya khilaf waqia
hy? Shayad aap mein se koi bhi ise khut na kahega_ Acha agar ye sach hy toh mujhe
bataeye ke ye zabardast intezam, ye hairath anghiz bakhaidgi, ye kamaal darjhe ki
hamvari, ya zameen va asman ki behadh va hisaab cheezo aur taqhatoh mein kamil
movafaqhath aqir kis vajah se hy?Karoudo baras se ye kaenath yuhhi qhayam chali a
rahi hy_Lakho kha (bohath)saal se is zameen par darakth agh rahe hy, janvar paida ho
rahe hy aur na malum kab se insaan is zameen par jhi rahe hy_Kabhi aisa na huva ke,
chand zameen par gir jatha, ya zameen suraj se tukrathi_Kabhi rath aur din ke hisaab
mein farq naa aaya, kabhi hawa ke mehekmein ki pani ke mahekmein se ladae naa
hue, kabhi pani matti se na ruvta aur kabhi garmi ne agh se raastha naa thoda_ Aqhir
is sathanath ke tamam sobe , tamam mahekamein,tamam har kare aur karinde kyu is
tarah khanun aur zabthe ki pabandi kiye chale jarahe hy? Kyu ibn mein ladae nahi
hothi? Kyu fasaadh barpha nahi hotha? kisi cheez ke vajah se ye sab ek intezam
mein bhandhe hua hy? is ka jawab aapne dil se phuchiye _ Kya vo gawahi nahi detha
ke ek hi khuda us sari kaenath ka badhshah hy_ Ek hi ka farmaan sab par chal raha
hy, ek hi hy, jis ki zabardast taqhath ne sab ko aapne zabath mein bandh rakha hy?
Agar das bees nahi do khuda bhi us kaenath ke malik hothe, toh ye intezam us
bakhaidhgi ke sath kabhi na chal saktha_Ek zara se madarse ka intezam toh do head
master o ki head masteri badh shaath nahi kar saktha_Phir Bhala ethni badi zameen
va asman ki salthanath do khuda o ki khudae mein kaise chal sakthi?

5
6

Paas waqia sirf ethna hi nahi hy ke dunya kisi banane vale ke ke baghair
nahi bani hy,balke ye bhi waqia hy ke us ko ek hine banaya hy_Haqheeqhath sirf ethni
hi nahi hy ke us dunya ka intezam kisi haqeem ke baghair nahi chal raha hy balke ye
bhi haqheeqhath hy ke vo haqeem ek hi hy_ Intezam ki bakhaidagi saaf kah rahi hy ke
yaha ek ke siwa kisi ke hath mein huqumath ke akthiyarath nahi hy_ Zabathe ki
pabandi munh se bolrahi hy ke is salthanath mein ek haqeem ke siwa kisi ka haqeem
nahi chaltha_Khanun ki sakth gehri shahadath de rahi hy ke ek badh shah ki
huqhumath zameen se asman thak qhayam hy_ Chand,suraj aur sayyare isi ke qhabze
qudrath mein hy_Zameen aapni tamam cheezo ke sath isi ki tabee farmaan hy_ Hawa
isi ki gulam hy, pani usi ka banda hy, darya aur pahadh usi ki mahkuvm hy, darakth
aur janvar usi ki mutti hy aur insaan ka jina aur marna usi ke aktiyaar mein hy_ Usi ki
mazbuth girafth ne sabko puri khuvvath ke sath jhikat rakha hy, aur koi inaa zovr nahi
raktha thake isi ki huqumath mein aapna huqhum chala sake_Dar haqeeqhath
Mukammal tanzeem mein ek se zyada haqeemo ki gunjaesh hi nahi hy_ Tanzeem ki
fitrath ye chahathi by ke haqum mein ek shamma bara bar bhi koi us ka hissa dar na
ho_Tanha vahi haqeem ho aur us ke siwa sab mehkovm ho_ Kyu na ke kisi dusro ke
hath mein farma rawae ke adnii se aktiyarath hone ke maanii bhi badh nazmee aur
fasaadh ke hy_ Huqum chalane ke kiye sirf takhath hi darkhar nahi hy, ilm bhi darkhar
hy ithni vasii nazar darkhar hy ke tamam kaenath ko bayek waqth dekh sahe aur us
kimaslihath o ko samaj kar aheqam jari kar sakhe_Agar khudavandh alim ke siwa
kuch chote chote khuda aise hothe nighah jaha bhi toh na rakhte, lekin inhe dunya ke
kisi hisse ya kisi mamile mein aapna huqhum chalane ka akthiyar hasil hotha, toh ye
zameen va asman ka sara karkhana darham barham hokar rah jath_ Ek mamuli
mission ke muthaliq bhi aap janthe hy agar kisi aisa shaks ko us mein dakhil andazi
ka aktiyaar dediya jaye, jo us se puri tarh waqhif naa ho toh vo use bighad kar rak
dega_ Lehaza aqhaal ye faisla karthi hy, aur zameen va asman ke nazami salthanath
ka intehae bazab thagi ke sath chalna us ki gawahi detha hy ke is salthanath ke
aktiyarathi shahi mein ek khuda ke siwa kisi ka darja bara bar hissa nahi hy_
Ye sirf ek waqia hi nahi hy haq ye hy ke khuda ki khudae mein khud khuda
ke siwa kisi ka huqhum chalane ki koi vajah bhi nahi hy_ Jin ko usne aapne dasthi
qudrath se banaya hy jo us ki maqluq hy, jin ki hasthi usi ki aniyath se qhayam hy jo
usse beniyaz hy, khud aapne bal bothe par ek lamhe ke liye bhi maujood nahi rah
sakthe_ In mein se kisi ki ye haisiyath kab ho dsakthi hy ke khudae mein us ka hissa
dar ban jaye? Kya kisi naukar ko aap ne milkiyath mein aqha ka sharik hothe dekha
hy? Kya aap ki akhaal mein ye baat athi hy ke koi malik aapne gulam ko aapna sajii
banale? Kya khud aap mein se koi shaks aapne mulazmo mein se kisi ko aapni
jaedadh mein aapne akthiyarath mein hissedar banatha hy? Is baat par jab aap ghaur
karenge toh aap ka dil ghawahi dega khuda ki is salthanath mein kisi bande ko khud
mokthara na farma rawae ka koi haq hasil nahi hy_ Aisa hona naa sirf waqia ke khilaf
hy, naa sirf amal aur fitrath ke khilaaf hy, balke haq ke khilaaf bhi hy_

6
7

Insaan ki Tabahi Ka Asaal Sabab


Sahabo! Ye vo buniyadi haqheekhath hy,jin par us dunya ka pura intezam chal
raha hy,aap us dunya se alag nahi hy_ Balke us ke andar us ke ek juz ki haisiyath se
rahte hy_ Lehaza aap ki zindagi ke liye bhi ye haqheeqhathe usitarah buniyadi hy jis
tarah kul jahan ke liye hy_
Aaj Ye Sawal aap mein se har shaks ke liye aur ke tamam insaano ke liye ek
pareshan kun ghathi bana hua hy, aqhir ham insaano ki zindagi se amaan chain kyu
ruksath hogaya? Kyu aaye din ham par ye musibathe nizil horahi hy? Kyu hamari
zindagi ki kal bigad gae hy, qhavmein Qhavmose tukra rahi hy_mulk mulk mein
khincha tani horahi hy,Admi admi ke liye behdiya ban gaya hy, lakho insaan ladae o
mein bar baad horahe hy, karovdo aur arbo ke karobar gharath horahe hy_ Basthiyo
ke basthiya ujadh rahi hy_ Takthuvr kamooro ko khaye jathe hy aur maal dar gharibo
ko lute lethe hy_ Huqhumath mein zulm hy, adalath mein be insaafi hy, daulath mein
baadh masthi hy, akthedadh mein ghuroor hy, dosthi mein bewafae hy, amanath mein
kayanath hy, aqlaq mein raasthi nahi rahi aur insaan par se insaan ka ahethemad udh
gaya_ Mazhab ke jame mein la mazhabi horahi hy_ Adam ke bache la teddah ghirho
mein bane hua hy aur har grew dusre grew ko dagh, zulm aur be imaane, har mumkin
tareeqhe se nuqsaan pahunchana karsawab samaj raha hy_ Ye sari khubiya aqhir kis
vajah se hy? khuda ki khudae mein aur jis tarah bhi ham dekhthe hy amaan hi amaan
nazar atha hy_ Sitharo mein amaan hy, hava mein amaan hy, pani mein amaan hy aur
daraktho aur janvaro mein amaan hy_Tamam aqluq ka intezam pure amaan ke sath
chal raha hy, kahi fasaadh ya badhnajmi ka nishaan nahi payajatha_ Magar ek insaan
hi ki zindag kyu niyamath se marhum hogae? Ye ek bada sawal hy, jaise haal karne
mein logo ko sakth pareshaani paish arahi hy_ magar mai pure ethminan ke sath uska
jawab dena chahatha hu_Mere paas uska moqthasar jawab ye hy ky admine aapni
zindagi ko haqheeqhath aur waqia ke qhilaf bana diya hy_Us liye vo takleef uta raha
hy aur jab tak vo phir use haqheeqhath ke mutabiq na banayega, kabhi chain na paa
sakhega_ Aap chalthi hue rael ke darwaje ko aap ne ghar ka darwaza samaj baite aur
use khol kar be takalluf us tarah bahar nikal aaye, jaise aapne makan ke sahen mein
khadam rakhraha hy_Toh aap ki us galath fahemi se raael ka darwaza ghar ka darwaz
banjaye ga aur naa vo maidan mein jaha girenge ghar ka sahen sabith hoga_aap ke
aapni jagah kuch samaj bait ne se haqheeqhath zara bhi naa badalegi _ Tez daudthi
hue rael ke darwaze se jab aap baher tashreef layenge toh uska nathija zaher hona hy
vo zaher hokar hi rahega khava tangh tuvtne aur sar phat ne ke badh bhi aap ye
tasleem na kare ke aap ne o kuch samjha tha galath tha bilkul usi tarah agar aap ye
samaj baite ke us dunya ka koi khuda Nahi hy ya aap khud aapne khuda ban baite, ya
khuda ke siwa kisi aur ki khudae maan liye_ Toh aap ke aisa samaj ne ya maan lene
se haqheeqhath harghiz na badlegi khuda khudahi rahega_ Uski zabardast salthanath,
jis mein aap mahez raieth ki haisiyath se rahethe hy, pure akthiyarath ke sath usi ke
kabze mein rahegi_ Albatha aap aapni us galath fahemi ki vajah se jo tarzhi zindagi
aktiyar karenge us nihayath bura akhmayazah aap ko bhukath naa padega khawa aap

7
8

takleef utane ke baad bhi aapni us galth zindagi ko bajaye khud sahi hi samaj the
rahe_
Pahele jo kuch mai bayan kar chuka hu, use zara aapni yadashth mein phir
taza karlijiye_ Khuda aur alim kisi banaye se khuda vandh alim nahi bana hy, vo us ka
mohtaj nahi hy ke aap uski khudae mane, toh vo khuda hy_ Aap khaa mane ya na
maane, vo khudh khuda hy_ Uski khudae khudh aapne zohr par qhayam hy, Usne aap
ko aur us dunya ko khud banaya hy_Ye zameen, ye chandh aur sari kaenath uske
huqhum ki tabee hy_Us kaenath mein jithni qhuvvatha kaam kar rahi hy sab us ke zer
huqum hy_Vo sari cheeze jin ke bul par aap zinda hy,usi ke kabze qudrath mein hy,
khudh aap ka aapna wajood us ke aktiyar mein hy, aap usko na maane tab bhi ye
waqia hy, aap usse ankhein ban karle_Tab bhi ye waqia hy_ Aap us ke siwa kuch aur
samaj baite, tab bhi ye waqia hy_In sab suratho mein waqia ka tho kuch bhi nahi
bighadh tha albath tha faraq ye hotha hy ke agar aap us waqia ko tasleem kar ke aapni
vahi haisiyath qubool karle jo us waqiq ke andar darasal aap ki hy toh aap ki zindagi
durusth hogi, aap ko chain milega, amaan milega, ithminan naseeb hoga aur aapki
zindagi ki sari kal tik chelegi aur agar aapne waqia ke khilaf koi aur haisiyath iktiyar ki
toh anjam vahi hoga jo chalthi hue rael ke darwaze ko aapne ghar ka darwaza
samajkar khadam bahar nikal ne ka hotha hy_Chovt aap khid khayenge_ Tangh aapki
tuvtegi, sar aapka phatega_Takleef aap o pahunchegi_Waqia jaisa tha vaisa hi
rahega_
Aap sawaal karenge ke us waqia ke mutabiq hamari sahi haisiyath kya hy?
Mai chand lafzo mein uski tashree kar detha hu_ Agar kisi naukar ko aap tankha dekar
pal rahe hotoh bataeye us naukar ki asal haisiyath kya hy, yahi na ke aap ki naukri
bajalaye, aap ki Huqum ki ithayath kare, aap ki marzi ke mutabiq kaam kare aur naukri
ki hadh se naa badhe_ Naukar ka kaam aqkhir naukri karne ke siwa aur kya hosaktha
hy_Aap agar officer o aur koi aap ka mothahath ho, toh mohthath ka kaa kaam kya
hy? Yahi nake vo mathhathi kare, oficeri ki hawa mein na rahe_ Agar aap kisi
jayedadh ke malik ho, toh us jayedadh mein aapki kwaesh kya hogi? Yahi nake us
mein aapki marzi chale_Jo kuch aap chahe wahi us mein ho aur aap ki marzi ke khilaf
patha na haal sakhe_ Aap par agar koi badhshah hi musallath ho aur tamam quvvathe
us ke hath mein ho toh aisi badhshah hi ki maujoodgi mein aap ki haisiyath kya ho
sakthi hy? Yahi nake aap sidhi tarah raeth bankar rahena qhubul kare aur shaahi
khanun ki farma bardari se khadam bahar na nikale_ Badhshah ki salthanath ke andar
rahethe hua agar aap khud aapni badhshahi ka dawah karenge ya kisi dusre ki
badhshahi maan kar us ke Huqum par chalenge, toh aap baghi honge aur baghi ke
sath jo suluk kiya jatha hy vo aap ko malum hi hy_
Un misaalo se aap khud samaj sakthe hy ke khuda ki us salthanath mein
aap ki asaal haisiyath kya hy? Aap ko us ne banaya hy _ Qudrathi taur par aap ka koi
kaam uske siwa nahi hy ke aapne banane vale ke marzi par chale, aapko vo paal raha
hy aur usike khazane se aap thankha le rahe hy_ Aap ki koi haisiyath us ke siwa nahi
hy ke aap us ke naukar hy_Aap ka aur sari dunya ka officer vo hy_Uski officeri mein
aap ki haisiyath muthahathi ke siwa aur kya hosakthi hy? ye zameen aur asman sab
uski jayedad hy_ Is jayedad mein uski marzi chale gi aur usi ki chalni chahiye_Aap ko
yaha aapni marzi chalane ka koi haq nahi hy_ Aapni marzi aap chalane ki koshish
karenge toh muna ki khayenge_ Is salthanath mein uski badhshahi uske aapne zour
par khayam hy, zameen aur asman ke sare mahekmein uske khabzhe mein hy_ Aur
aap khava razi hu ya naraz, bahere haal khud aap uski raeth hy_ Aap ki aur kisi insaan
ki bhi khava vo chota ho ya bada, koi dusri haisiyath raeth hone ke siwa nahi hy_Usi

8
9

ka khanun us salthanath mein khanun hy_ Aur usika huqum huqum hy_ Raeth mein
se kisi ko ye dawaah karne ke haq nahi hy ke mai hunar majesty huoo, ya hunar
haienaas huoo ,ya dictetor aur moqtar kal huoo_ Naa kisi shaks, ya parliament, ya
assembly ya council ko ye iktheyae hasil hy ky us salthanath mein khuda ke bajaye
khud aapna khanun banaye aur khuda raeth se kahe ke hamare us khanun ki pairvi
karuv_ Na kisi insaani huqhumath ko ya haq pahuncha tha hy ke khuda ke huqhum se
beiz hokar khuda ke bando par khud aapna huqhum chalaye aur unse kahe ke hamare
us huqhum ki ethayath karuv_Na kisi insaan aur na kisi insaani grew ke liye ye jayez
hy ke asaal badhshah ki raeth banne ke bajaye badhshahi ke jhuute madeeo mein se
kisi ki raeth banna qubool kare_ Asaal badhshah ke khanun ko chod kar khanun
sazoo ka khanun tasleem kare aur asaal huqumrah se munh modh kar jhuut muth ki
un huqhumatho ka huqum manane lage, ye tamam surathe baghavath ki hy
badhshahi ke iktheyarath ka dawa karna aur aise dawe ko qubool karna do harkathe
raeth ke liye baghavath ka Huqum rakthi hy_Aur us ki saza un dono ko milni yakeeni
hy khava jald mile ya der mein_ Aap ki aur ek ek insaan ki paishaani ke bal khuda ki
mitti mein hy_Vo jab chahe vo pakad kar ghisaatle_ Zameen aur asman ki us
salthanath mein bhagh jane ki takhath kisi mein nahi hy_Aap usse bhag kar kahi
panha nahi le sakthe_ Mitti mein mil kar agar aap ka ek ek zarra bhi munthashir ho
jaye, agh mein jal kar khava aap ki raqh hawa mein pail jaye, pani mein bah kar khava
aap machliyo ki ghiza bane, ya samandar ke pani mein ghul jaye_Har jagah se khuda
pakad kar aap ko bulayega_Hawa us ki gulam hy, zmeen uski bandhi hy_Pani aur us
ki machliya sab us ke huqum ki tabee hy_Ek eshaare par sab taraf se aap pakad mein
ajayege_Aur phir vo aap mein se ek ek ko bula kar phuche ga ke meri raeth ho kar
badhshahi ka dawa karne ka haq tumhe kaha se pahunch gaya tha? Mere malik mai
aapna huqum chalane ke iktheyarath tum kaha se laye the? Meri salthanath mein
aapna khanun jari karne vale tum kon ho the? Mere bandhe hokar dusro ki bandagi
karne par tum kaise razi hogaye? Mere naukar hokar tumne dusro ka huqum mana,
mujhse tankhwa(salary)le kar dusro ko undaath aur rizq samjha, mere ghulam ho kar
dusro ki ghulami ki, meri badhshahi mein rahethe hua dusro ki shahi maani, dusro ke
khanun ko khanun samjha aur dusro ke farmaen ki itha ath ki ye baghavath kis tarah
tumhare liye jayez hogaethi? Farmaye aap mein se kis ke paas us ilzam ka jawab hy?
kon se waqeel sahab vaha aapne khanuni dav paish se bachav ki suvath nikal
sakhenge? Aur konsi sifarish par aap bharosa rakthe hy ke vo aap ko us baghavath
ke jurm ki saza se bachalengi?

9
10

Zulm ki Vajah
Sahabo! Yaha sirf haq hi ka sawal nahi hy ye sawal bhi hy ke khuda ki us
khudae mein kya koi insaan badhshahi ya khanun sazee ya huqumurani ka ahel
hosaktha hy_? Jaisa ke abhi arz kar chuka hu ek mamuli mission ke muthaluq bhi aap
ye janthe hy ke agar anadi shaks jo us ki mashaizi se waqif naa ho, use chalayega toh
use bigadh dega_ Zara kisi nawaqif admi se ek motor hi chalva kar dekh lijiye_Abhi
aap ko malum hojayega ke us himakhath ka kya anjam hotha hy_Aap khud sonche ke
lohe ki ek mission ka haal jab ye hy ke sahi ilm ke baghair us ko istemaal nahi kiya
jasaktha toh insaan jis ki nafsiyath inteha darje ke pechida(problem)hy, Jis ki zindagi
ke mamlath beshumar pahelu rakhthe hy aur har pahelu mein lakho ghuthiya hy, us ki
pich dar pich mishaiziko vo log kya chala sakthe hy jo dusro ko janna aur samaj na
toh dar kinar khud aapne aap ko bhi achi tarah nahi janthe samajhthe_ Aise anadi jab
khanun saaz ban baitinge aur aise nadan jab insaani zindagi ki driveri karne par
amadh huge toh kya us ka anjam kabhi kisi anadi shaks ke motor chalane ke anjam se
kuch bhi moktaleef hosaktha hy ? Yahi vajah hy ke jaha khuda ke bajaye insaano ka
banaya hua khanun mana jaraha hy aur jaha khuda ki ithayath se beniyaz hokar
insaan huqum chala rahe hy aur insaan unka huqum maan rahe hy, waha kisi jagah
bhi amaan nahi hy, kisi jagah bhi admi ko chain naseeb nahi, kisi jagah bhi insaani
zindagi ki kal sidhi nahi chalthi kushth va khoon horahe hy,zulm aur be insaafi horahi
hy, lut kasauvt barpaa hy_ Admi ka admi khoon chuz raha hy, aqlaaq tabhaa horahe
hy, sahethe barbaadh horahi hy, tamam takhathe jo khuda ne insaan ko dithi, nsaan
ke faide ke bajaye us ki tabahi aur barbadi mein sarf horahi hy_ Musthakil dojak jo isi
dunya Mein insaan ne aapne liye aapne hatho banali hy us ki wajah us ke siwa kuch
nahi hy ke usne bacho ki tarah shauk mein aakar us mission chalane ki kohish
ki_Jiske kul purzo se vo waqif hi nahi_ Us mission ko jis ne banaya hy vahi uske razo
ko jantha hy, vahi uski fitrath se waqfiyath raktha hy, usi ko tik tik malum hy ke ye kis
tarah sahi chal sakthi hy_ Agar admi aapni himakhath se baaz ajaye aur aapni jahilath
tasleem karke us khanun pabandhi karne lage ju khud us mission ke banane wale
muqarar kiya hy_ Tab toh jo kuch bigda hy vo phir ban saktha hy_Warna un
museebatho ka koi haal mumkin nahi_

10
11

Be Insaafi Kyu Hy?


​Aap zara aur gehri nazar se dekhe toh aap ko jahalath ke siwa aapni zindagi ke
bighad ki ek aur vajah bhi nazar aayegi_
Zara si aqhaal ye baat samaj ne ke liye kafi hy ke insaan kisi ek shaks ya ek
khandan ya ek qhaum ka naam nahi hy_ Tamam dunya ke insaan baherehaal insaan
hy_Tamam insaano ko jine ka haq hy,sab is ke haqdar hy ke un ki zarurathe puri ho_
Sab amaan ke,insaaf ke,izzath aur sharafath ke musthahiq hy_Insaani khush haali
agar kisi cheez ka naam hy toh vo kisi ek shaks ya khandan ya badh haal ho,toh aap
ye nahi kahe sakthe ke insaan khush haal hy_Warna ek khush haal ho aur das badh
haal ho,toh aap ye nahi kahe sakthe ke insaan khush haal hy_Fala agar kisi cheez ko
kahethe hy toh vo tamam insaano ki falah hy,naa ke kisi ek tabkhe ki ya ek qhaum
ki_Ek ki falah aur das ki barbadhi ko aap insaani falah nahi kahe sakthe_Us baat ko
agar aap sahi samajthe hy toh ghaur kijiye ke insaani falah aur khush haali kis tarah
hasil ho sakthi hy_ Mere nazdeek uski koi surth us ke siwa nahi hy ke insaan ki
zindagi ke liye khanun vo banaye jis ki nazar mein tamam insaan eksa ho_Sab ke
huqooq insaaf ke sath vo moqharrar kare jo natho khud aapni koi zyadathi gharz
raktha ho aur na kisi khandan ya tabkhe ki ya kisi mulk va qhavm ki agharz se
vabastha ho_Sab ke sab huqum uska maane , jo huqum dene mein naa apni jahilath ki
vajah se galathi kare, naa aapni khawish ke bina par huqmrani ke ekthiyar se najayez
faida utaye aur na ek ka dushman aur dusre ka dosth, ek ka taraf dar aur dusre ka
muqharif, ek ki taraf mail aur dusre se mokhareef ho_Sirf usi surath mein adal
qhayam hosaktha hy usi tarah tamam insano, tamam qhavmo, tamam tabkho aur
tamam grewho ko unke jayez huqook pahunch sakthe hy_ Aur yahi ek surath hy, jis
se zulum mit saktha hy_ Ab mai phuch tha hu ke dunya mein koi insaan bhi aisa be
alag, aisa ghair janib dar,aisa be gharz aur us qhadar insaani kamzoriyo se balatar ho
saktha hy? Aap mein koi se shaks mere is sawal ka jawab sabath mein den ki jurrath
na karega_Ye shan khuda hi ki hy koi dusra us shan ka nahi hy_Insaan khawa kithne
hi bade dil ghurde ka ho bahere haal vo aapni kuch zyadathi aghaz raktha hy, kuch
dilchaspiyah raktha,kisi se uska tauluq zyada hy aur kisi se kam, kisi se mohabbath
hy aur kisi se nahi hy,kisi usko vabasthghi hy aur kisi se nahi hy_Un kamzoriyo se koi
insaan pak nahi hosaktha hy_Yahi vajah hy ke jaha khuda ke bajaye insaano ka
khanun maana jatha hy aur khuda ke bajaye insaano ke huqum ki ethayath ki jathi
hy,vaha kisi na kisi surath mein zulum aur beinsaafi zaroor maujoodh hy_
Un shahi khandan o ko dekhiye,jo zabardasthi aapni takhath ke bul
bolthe par imtiyazi haisiyath hasil kiye hua hy_Unhone aapne liye vo izzath, vo tat , vo
amdani, vo hoqooq aur vo ekthiyar maqsoos kar rakhe hy,jo dusro ke liye nahi hy_Ye
khanun se bala thar hy_Unke khilaf koi dawa nahi kiya jasaktha _ Ye chahe kuch kare
,unke muqhabile mein koi chara joe nahi ki jasakthi_Koi adalath nke naam saman nahi
bhej sakthi_Dunya dekhthi hy ke ye galthiya kartha magar kaha ye jasaktha hy aur
maanne vale bhi maan lethe hy ke badhshah galthi se hy_Dunya dekthi hy ke ye
mamuli insaan hy, jaise aur sab insaan hothe hy,Magar ye khuda bankar sab se unche

11
12

bait the hy aur log samne yu hath bhande, sar jhukaye, dare saheme khadethe hy
goya unka rizq, unki zindagi,unki maut sab unke hath mein hy_Ye riyaya ka paisa
ache aur bure har tareeqhe se ghasat the hy aur use aapne mahelo par,sawari o
par,aapne aish vo aram aur aapni tafree o par bedargiya luta the hy_Unke khutho ko
vo roti milthi hy jo kama kar dene vali riyaya ko naseeb nahi hothi_Kya ye insaaf
hy?Kya ye tareeqha kisi aise adal ka muqharrar kiya hua ho saktha hy jis ki nigah
mein sab insaano ke huqooq aur mafadh eksa ho?
Un barhamno aur pairviyo ko dekhiye,un naba vo aur raesoo ko dekhiye, un
jagirdaro aur zamindaro ko dekhiye sahokaro aur mahajhino ko dekhiye, ye sab
tabkhe aapne aapko aam insaano se bala tar samaj the hy_Unke zor va asar se jithne
khawanin dunya mein bane hy vo unhe aise huqooq dete hy jo aam insaano ko nahi
diye gaye_Ye pak hy aur dusre na pak, ye sharik hy aur dusre kaminh hy, ye unche hy
aur dusre niche, ye lovt ne ke liye hy aur dusre latakne ke liye_ Un ke nafs ki
khwaesho par logo ki jaan, maal,izzath,abruv, har ek cheez qurban kardi jathi hy_ Kya
ye zabathe kisi mansuf ke banaye hua hosakthe hy? Kya in mein sarhi taur par
khudhgharzi aur janab dari nazar nahi aathi?
Un haqeem qaumo ko dekhiye jo aapni takhath ke bul par dusri qaumo
ko banaye hua hy_Unka kounsa khanun aur kounsa zabtha aisa hy, jis mein khud
gharzi shamil nahi hy?Ye aapne aap ko insaani ala kahethe hy_Balke dar
haqheeqhath sirf aapne hi ko insaan samajthe hy unke nazdeek kamzor qaumo ke log
ya tho insaan hi nahi hy ya agar hy toh dana darjhe ke hy_ Ye har haisiyath se aapne
aap ko dusro se unchahi rakthe hy aapni agharz par dusro ke mafadh ko qurban karna
aapna haq samajthe hy_Unke zor va asar se jithne khava in zavabath dunya mein
bane hy un sab mein ye rang maujood hy_
Ye chand misale mai ne mahez eshare ke taur par di hy_Tafseel ka yaha
moaqha nahi_Mai sirf ye baat aap ke zahen nasheen karna chahatha hu ke dunya
mein jaha bhi insaan ne khanun banaya hy, vaha be insaafi zarur hue hy_Kuch
insaano ko unke jayez huqook se bahoth zyada diyagaya hyaur insaano ke huqooq na
sirf pa maal kiye gaye hy balke unhi insaaniyath ke darje se giradene mein bhi tamal
nahi kiya gaya_Uski vajah insaan ki ye kamzori hy ke vo jab kisi mamle a faisla karne
baiy tha hy toh uske dil va damag par aapni zath ya aapne khandan ya aapni nasaal,
ya aapne tabkhe,ya aapni qhaum hi ke mafadh ka khayal musallath rahetha hy_Dusro
ke huqooq aur mafadh ke liye us ke paas vo hamdardi ki nazar nahi hothi jo aapno ke
liye hothi hy_Mujhe ye bathye kya us be insaafi ka koi ilaj us ke siwa mumkin hy ke
tamam insaani khawaneen ko darya burdh kar diya jaye aur us khuda ke khanun ko
ham sab tasleem karle jis ki nighah mein ek insaan aur dusre insaan ke darmiyan koi
farq nahi_Farq agar hy toh sirf us ke aqlaaq,us ke amaal aur us ke ausaaf (merits)ke
lehaz se hy na ke nasaal ya tabqha ya khumiyath ke lehaz se?

12
13

Amaan Kis Tarah Qhayam Hosaktha Hy?


Sahaboo!Us mamile ka ek aur pahelu bhi hy, jaise mai nazar andaz nahi
karsaktha_Aap janthe hy ke admi ko khabu mein rakne vali cheez sirf zimmedari ka
ahesas hi hy_ Agar kisi shaks ko ye yakeen hojaye ke vo jo chahe kare, koi usse
jawab talab karne vala nahi hy aur naa uske upar koi aisi taqhath hy jo use saza de
sakhe, toh aap samaj sakthe hy ke vo shatar be mahar ban jayega_Ye baat jis tarah ek
shaks ke mamile mein sahi hy, usi tarah ek khandan ek tabqhe, ek qhaum aur tamam
dunya ke insaano ke mamile mein bhi sahi hy_Ek khandan jab ye mahsus kartha hy
ke us se koi jawab talab nahi karsaktha toh vo khabu se baher hojatha hy_Ek tabqha
bhi jab zimmedari aur jawab dahi se be khauf hojatha hy,dusro par zulm dane mein
use koi tameel nahi hotha, ek qhaum ya ek salthanath bhi jab aapne aap ko athna
thaqhath dar pathi hy ke aapni zyadathi ke kisi bure nathije ka khauf use nahi hoth toh
vo junal ke bhede ki tarh kamzor bakriyo ko phadh na aur khana shuru kardethi
hy_Dunya mein jithni badh nami pae jathi hy,uski ek badi vajah yahi hy_Jab thak
insaan aapne se bala tar kisi ekthedar ko tasleem na kare aur jab thak use yakeen
naho ke mujh se upar koi aisa hy,jis ko mujhe aapne amaal ka jawab dena hy aur jis
ke hath mein athni takhath hy ke mujhe saza desaktha hy,us waqth thak ye kisi tarah
mumkin nahi hy ke zulm ka darwaza bandh ho, aur sahi amaan qhayam ho sakhe_
Ab mujhe batheye ke aisi thakhath siwaye khudavandh alim ke aur kounsi
hosakthi hy? Khud insaano mein se toh koi aisa nahi hosaktha, kyu ke jis insaani
grew ko bhi aap ye haisiyath dege, khudh uske shathri bemihar ho jane ka emkan
hy_Khud us se andesha hy ke tamam firauno ka firaun vo hojaeyega aur khud usse ye
khatra hy ke khudgharzi aur janibdari se kaam lekar vo baaz insaano ko girayega,aur
baaz ko utayega_Europe ne us masle ko haal karne ke liye majlis aqvam banae
thi_Magar bahoth jaldi vo safedh rang vali qhavmo ki majlis bankar rahgae_Aur usne
chand takhathvar salthanatho ke hath mein khilona bankar kamzor khaumo ke sath be
insaafi shuru kardi_ Us tajrube ke baad us amar mein koi shak bakhi nahi rah saktha
ke khud insaano ke andarse koi aisi takhath par amadh honi naa mumkin hy jis ki
baspurs ka khauf fardan fardan ek shaks se le kar dunya ki qhaumo aur salthanatho
thak ko khabu mein rak saktha ho_Aisi takhath la maholah insaani daere se baher aur
usse upar hi honi chahiye, aur vo sirf khudavandi aleem hi ki takhath ho sakthi
hy_Ham agar aapni bhalae chahathe hy,toh hamare liye us ke siwa koi chara kar nahi
hy ke khuda ar imaan laye, us ki hukumath ke aage aapne aap ko farma bardar raeth
ki tarah supurdh karde, aur us yakeen ke sath dunya mein zindagi basar kare ke vo
badhshah hamare qhule aur chupe sab kaamo ko jantha hy aur ek din hame us ki
adalath mein apni puri zindagi ke karname ka hisaab dena hy_Hamare shareef aur par
amaan insaan banne ki baas yahi ek surath hy_

13
14

Ek Shobah

Ab mai aapne khuthbe ko khatm karne se pahele ek shobah ko saaf kardena
zaruri samajtha hu jo ghalban aap mein se har ek ke dil mein paida ho raha hoga_Aap
soch rahe ho ge ke jab khuda ki huqumath athni zabardast hy ke khak ke ek zarre se
le kar chand aur suraj tak har cheez us ke khabu mein hy aur jab insaan us ki
hukumath mein mehaz ek raeth ki haisiyath rakhtha hy, toh aqhir ye mumkin kis tarah
huwa ke insaan us ki hukumath ke khilaaf baghavath kare aur khud aapni badhshahi
ka alan kar ke us ki raeth pr aapna khanun chalaye? Kyu nahi khuda us ka hath pakad
letha aur kyu use saza nahi detha?
Us sawal ka jawab mein chand mokthasir alfaaz mein duvga
Asaal ye hy ke khuda ki huqumath mein insaan ki haisiyath kharib kharib
aisi hy, jaise ek badhshah kisi shaks ko aapne malik ke kisi zali ka officer bana kar
bhejtha hy_ Malik badhshahi ka hotha hy,raeth bhi isi ki hothi hy ,rael,
telephone,tar,fauj,aur dusri tamam takhathe badhshahi ke hath mein rahethi hy aur
badhshah ki salthanath us zali par charo taraf se us tarah chahae hue hothi hy ke us
chote se zali ka officer us ke mukhabilemein bilkul ajiz hotha hy_ Agar badhshah
chahe toh us ko puri tarah majbur kar saktha hy ke us ke huqum se baal bara bar
munh naa modh sakhe _ Lekin badhshah us officer ki akhaal ka, us ke zarf ka aur us
ki layakhath ka imtehan lena chaha tha hy, us liye vo us par se aapni ghirfath ithni
dhali kar detha hy ke use aapne upar koi bila tar ektedar mehsus nahi hotha_Ab agar
vo officer akhaal maand, namak halal, farz shanas aur wafadar hy, toh us dhali
ghirfath ke bavjood aapne aap ko raeth aur mulazam hi samajtha rahetha
hy_Badhshahi ke malik mein isi ke khanun ke mutabiq huqumath kartha hy aur
badhshah ne jo ektheyarath use diye hy, unhe khud badhshah ki marzi ke muvafeeq
istemaal kartha hy_Us ke wafadara naa tarzh amaal se us ki aheliyath sabith ho jathi
hy,aur badhshah use zyada buland martabo ke khabil pakar tarkhiyoo par tarkhiya
detha chala jatha hy_Lekin agar vo officer bewakhuf,namak haram aur sharir ho,aur
raeth ke vo log jo us zali mein rahethe hy, zahel aur nadan huoo toh aapne upar
salthanath ki ghirfath dhali pakar vo baghavath par amaadah hojatha hy_Us ke dimag
mein khud mokthari ki hawa bhar jathi hy_Vo khud aapne aap ko zali ka malik samaj
kar khud dusra naa huqumath karne lagthe aur jahel raeth ke log shaks ye dekh kar
us ki khud dusra naa huqumath tasleem karlethe hy ke takwa ye detha hy,police us ke
paas hy,adalathe us ke hath mein hy,jahel ki hathkatriya aur phansi ke takthe us
khabze mein hy aur hamari kismat ko banane ya bigadne ke iktheyarath ye raktha
hy_Badhshah us andhi raeth aur baghi officer dono ke tarze amaal ko dektha rahetha
hy,chahe toh favraan pakadh le aur aisi saza de ke hosh thikane naa rahe_Magar vo
un dono ki puri azmaish karna chahatha,us liye vo nihayath tahmeel aur barbadhi ke
sath unhe dhael detha chala jatha hy_Ta ke jithni naa layakiya un ke andar bhari hue
hy,puri tarah zaher ho jaye,us ki takhath ethni zabardast hy ke use us baat ka koi
khauf hi nahi hy ke ye officer kabhi zor pakad kar use takth cheen lega_ Use us baat
ka bhi koi andesha nahi ke ye baghi aur namak haram log us ki ghirfath se nikal kar
kahi bhagh jayenge us liye use jald bazi ke sath faisla kardene ki koi zarurath nahi, vo
saalha saal balke sadiyo tak dhael detha rahetha hy yaha tak ke jab ye log aapni puari
khabasath ka ezhar kar chuthe hy, aur koi khasar us ke izhar mein bakhi nahi

14
15

rahethi,tab vo ek roz aapni azaab un par bhijatha hy aur vo aisa waqth hotha hy ke koi
tadbeer us waqkth unhe us ke azaab se nahi bacha sakthi_
Sahabo!Mai aur aap aur khuda ke banaye hua afsar,sab ke sab usi azmaesh
mein mubtala hy_Hamari aqhaal ka,hamare taraf ka,hamari farz shanasi ka,hamari
wafadari ka sakth imtehan ho raha hy_Ab ham se har shaks ko khud faisla karna
chahiye ke vo aapne asal badhshaah ka namak halal afsar ya raeth banna pasand
kartha hy,ya namak haram_Maine aapni jagah namak halali ka faisla karliya hy,aur mai
har us shaks se baghi hu,jo khuda se baghi hy_Aap aapne faisle mein mokthar
hy,chahe ye rastha ekthiyar kare ya vo_Ek taraf vo nokanath aur vo faide hy,jo khuda
ke baghi mulazim pahuncha sakthe hy aur dusri taraf vo noksanath aur vo faide hy,jo
khud khuda pachuncha saktha hy, dono mein se jis ko aap inthekhab karna chahe,
karsakthe hy_

15

You might also like