Sudeep-“Har equation ka solution bana dete hain,
Newton ke laws ko bhi friendly bana dete hain.
Chemistry mein bonds aur periodic trends,
Teachers hi hote hain humare true friends.
Biology ke cells aur DNA ki race,
Sab samjhate hain ek smile ke face.
Integration ho ya differentiation ka fight,
Sirf teachers banate hain maths ko light.
Hindi se aayi baaton mein mithaas,
English se mili communication ki class.
Aur Computer ne toh yeh sikha diya –
Life ek coding line hai,
Jo sirf teacher hi debug kara dete hain.” 🌟
Suntoo
Wah Sudeep! Poem bhi, science ka tadka bhi, aur gratitude bhi. Lekin sach bolun? Agar teachers na hote toh…
Sudeep:
Kya hota?
Suntoo:
Tu abhi tak ABCD gaata firta, aur main Physics ke paper mein likhta – “Force is directly proportional to… mood!”
Sudeep:
Aur Chemistry ke exam mein tu likhta – “Friendship is the strongest bond!”
Suntoo:
Aur Biology mein – “Cells are like friends… kuch divide ho jaate hain, kuch multiply!”
Both:
Soch ke hi maja aa gaya!
Sudeep:
But today is not about exams, formulas or marksheets. Aaj ka din hai hamare mentors, guides aur second parents – hamare teachers ke
naam.
Suntoo:
Bilkul! Agar zindagi ek raasta hai, toh teachers wahi milestone hain jo humein sahi mod dikhate hain.
Both:
Toh aayiye, iss safar ki shuruaat karte hain… aur milke banate hain Teachers’ Day ek yaadgar celebration! 🎉
Sudeep (poetic intro):
“Shuruaat hamesha ek misaal se hoti hai,
Aur leadership ek perfect taal se hoti hai.”
Suntoo:
Aur leadership ki baat ho, toh hamare Head Boy se behtar aur kaun? Jo discipline ka symbol bhi hain aur energy ka powerhouse bhi.
Sudeep:
Woh jahan khade hote hain, wahan ek confidence ka mahal ban jaata hai.
Both:
Doston, let’s welcome our Head Boy with a big round of applause, as he comes to deliver the Welcome Speech! 👏
(after speech)
Sudeep: Wah, kya baat kahi hamare Head Boy ne! Aisa laga jaise motivational speaker banne ka contract sign kar liya ho!
Suntoo : Bilkul! Ab unke speech ke baad toh mujhe bhi padhaai karne ka mann kar raha hai… …but sirf Monday se! 😜
Suntoo :
“Jahan shabdon se zyada sur bolte hain,
Wahi dil ke raaz khulke khilte hain.” 🎶
Sudeep:
Aur waise bhi, ek shaam suron ke bina adhoori lagti hai.
Suntoo:
Bilkul! Aur Kangana ke suron mein hai woh jaadu jo thakawat mita ke chehre pe smile le aata hai.
Both:
toh iss sham ko mastani banane ke liye aa rhi h kangkana!
suntoo : Dosto, ab aane wali hai hamari singer Kangana. Lekin ek baat bataun, Kangana gaati hai toh lagta hai ki Spotify ne khud unhe
playlist mein daal diya hai!
Sudeep: Aur agar aapko gaana pasand aaye, toh taaliyan zaroor bajana… warna Kangana khud “Mic Testing, 1–2–3” gaane lagengi! 😄
(after song)
sudeep _ wah wah! kya sur tha! sachme sham bari mastani lag gyi hai!
suntoo : aage barhe hai fir !
Sudeep:
jarur! “Har nritya ek kahani sunata hai,
Aur har mudra dil ko bhata hai.”
Suntoo:
Dance ek aisi language hai jismein words ki zarurat hi nahi hoti. Sirf expressions aur moves se kahaniyan likhi jaati hain.
Sudeep:
Aur iss kala ko aur khubsurat banane aa rahe hain – hamare performers.
Both:
Please welcome Debarshee and Devangana with their graceful semi-classical dance performance! 👏
(after dance)
Sudeep: Wah wah! Matlab agar main dance karta toh bench tutta… lekin unhone toh poore stage me aag laga diya!
Suntoo : Haan, aur tu dance karega toh teachers sochenge yeh “Richter scale 7 ka earthquake” aa gaya!
(after dance)
suntoo : kitna khoobsurat tha na! (claps)
sudeep : par ab hogi asli shuruat!
Suntoo :
ab! “90s ke gaane hain yaadon ka khazana,
Unme chhupi hai masti ka deewana.”
Sudeep:
Aur masti ke bina Teachers’ Day ka celebration bilkul incomplete hai.
Suntoo:
Aur jab hamara Girls’ Group stage pe aata hai… toh samajh jao party shuru!
Both:
So get ready – kyunki “Masti jaari rahegi, 90s ke gaano ke saath!” 🎶
Suntoo: Ab aane wala hai woh performance jisme nostalgia bhi hai aur dhamaka bhi.
Sudeep: Bilkul, 90s ke gaane sunke parents bhi sochenge “arre yeh toh hamare zamane ka playlist hai!”
Suntoo: jarur! toh we welcome them with a big round of applause!
(after dance)
sudeep : ab hui na thori 90s wali vibe!
suntoo : han teachers ko acha lage or kya chahe hume?, ab aage barhte hai!
Sudeep :
“Competition ka maza tabhi aata hai,
Jab dost nahi… teachers khud khelte nazar aata hai!”
Teachers, please tayyar ho jaiye – ab aapka exam hone wala hai! Lekin tension mat lijiye… is exam mein sirf “musical chairs” aur “chalk
pass” ka syllabus hai!
Suntoo: Aur jo jeetenge, unhe milega… (pause) hamari taraf se free respect ka lifetime subscription! 😂
Suntoo:
kyuki ab wahi waqt aa gaya hai – hamare super fun Teachers’ Game Round!
Sudeep:
Isme hoga dance, hoga laugh, aur thodi si friendly nok-jhok bhi! Games jaise Musical Chairs aur Pass the Chalk ke sath lets enjoy our
evening !
Suntoo:
Bas ek cheez yaad rakhna teachers – jeetne se zyada yahan participate karna hai important… (pause) aur humein entertain karna bhi! 😄
suntoo- first lets start with the musical chair
(during game bas cheer krna like 'cmon cmon sir! ohho mam! yey he/she is winner! mast!)
sudeep : now for pass the chalk, sare teachers ek circle me khare honge! chalk pass kia jayega music bajta rhega! music ke band hote jiske
paas chalk rhega vo out! dekhte h kon chalk rakhta hai!
suntoo : wow he/she won!
sudeep : (after games ) sachem yar teachers to teaching ke sath games me bhi mahir hai!
suntoo : han vo toh hai!
sudeep : or ab?
Suntoo :
“Jahan itni masti aur hasin pal bante hain,
Wahan bhookh bhi apna haq maangti hai.” 😋
Sudeep:
Aur bhookh se bada dosti aur kya ho sakta hai?
Suntoo:
Bilkul! Sabka shukriya yaha tak bane rehne ke liye… ab ek chhota sa break, khane ke liye!
Both:
Please follow our classmates to the food tables and enjoy the delicious treat we’ve arranged! 🍽
Sudeep: Dosto, ab gifts ka time hai. Aaj students teachers ko gifts dene wale hain.
Suntoo: Waise normally teachers hi humein gifts dete hain… like “extra homework” aur “surprise tests.” 😜
Sudeep: Toh aaj tables turn ho gaye!
Both:
Toh aayein, gifts present karte hain hamare beloved teachers ko – with all our respect and gratitude! 🌹
(first we call principal sir to stage, then. ojha sir, ali sir, mazumdar sir.. one by one all according to list!)
(gift hum girls de denge and baki boys)
Suntoo :
“Aakhri meetha hamesha khaas hota hai,
Aur seniors ka aashirwad sabse paas hota hai.”
Sudeep:
Aur ab, jis moment ka humein intezaar tha – hamare Principal sir ki inspiring baatein.
Suntoo:
Unke har shabd mein ek motivation hoti hai, jo humein naye sapne dekhna aur unhe poora karna sikhata hai.
Both:
Doston, please welcome our respected Principal on stage for the blessings and closing words. 👏
sudeep : wow! thank u so much principal sir!
suntoo : aapke baton se motivation toh humesha sabko mila hai sir
Sudeep:
Aur ab doston, isi ke saath aaj ka yeh special Teachers’ Day celebration yahin khatam hota hai.
Suntoo:
Lekin teachers ke liye hamara pyaar aur respect… kabhi khatam nahi hoga.
Both (together):
Happy Teachers’ Day once again from whole class 12! Thank you everyone!