0% found this document useful (0 votes)
11K views3 pages

Safar

1) The document describes a woman's bus journey from her college town back to her hometown. On the bus, she initially feels uncomfortable sitting next to an older man who invades her personal space. 2) However, a fellow passenger named Vaibhav offers to switch seats with her, making her feel more at ease. She and Vaibhav converse for the rest of the journey and discover they know people in common. 3) By the end of the journey, the woman finds herself attracted to Vaibhav and they exchange phone numbers, planning to meet again when she returns to her college town in a few days.
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
11K views3 pages

Safar

1) The document describes a woman's bus journey from her college town back to her hometown. On the bus, she initially feels uncomfortable sitting next to an older man who invades her personal space. 2) However, a fellow passenger named Vaibhav offers to switch seats with her, making her feel more at ease. She and Vaibhav converse for the rest of the journey and discover they know people in common. 3) By the end of the journey, the woman finds herself attracted to Vaibhav and they exchange phone numbers, planning to meet again when she returns to her college town in a few days.
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 3

Safar

Mujhe bus ka safar shuru se bahut jyada pasand nahi tha aur phir agar bat ganv tak jane wali private bus
ki ho to aur bhi jyada dikkaten ,par un sari pareshaniyon ka khatma tab hota hai jab sochti hun ki ye
safar yad shehar par khatm hoga .

Yad shehar ki apni hi kuch bat hai jab bhi sochti hun hothon par ek sukun bhari hansi aa jati hai ,bus
stand par pahunchte hi ek ajeeb si ghabrahat hone lagi kyunki bus abhi tak stand par aae nai thi aur baki
bus ke conducror kanon me itni zoron se cheekh rahe the ki lagta tha ki kash bhagwan mai invisible ho
jaun aur ye log merepas aakar chikhna band karein aur tabhi mujhe rahat mehsus hue jab mujhe dur se
apni bus ate hue dikhai di ,shayad ab mera us bus se bhi ek ajeeb sa rishta ho gaya tha kyunki jo cheezen
kisi sukun bhari baton ki yad dilati hai wo dil ke bahut karib ho jati hai .jaise hi bus stand par lagi usme
baithne wali mai hi pehli insane thi mujhe chadta dekh bus driver bhaiya muskurakar puchne lage abki
bar bade dino bad ganv ja rahi ho chunki ye bus yad shehar se hi chalti hai aur mera safar bhi wahin tak
ka hota hai isliye sab ek dusre ko bahut achche se jante hain maine bhi seat par baithte hue kaha abhi
exams chal rahe the isliye thoda jyada time ho gaya.

Bus ke chalte hi do safar ek sath shuru ho gae ek raste ka aur ek yadon ka par dono hi safar me ek fark
hai raste ka safar dheere dheere kam hota jata hai par yadon ka safar usi rafter se hamare sath chalta
rehta hai aur hum nahi jante ye kahan khatm hoga,mai apni soch ki udhedbun me thi tabhi peeche se ek
awaz ayi kya ye seat khali hai maine paltkar dekha to ek mera hi hamumra ladka tha manine uski taraf
dekha aur lagbhag chidhte hue kaha reserved hai maine soch manchala ladka, akeli ladki ko dekha aur
chance marne ki koshish shuru ,maine dekha wo ladka mere hi bagal ki teen ki seat par baith gaya aur
mere pas ek adhed umra uncle aakar baith gae ab safar shuru ho chukka hai aur mera man bas ki rafter
se bhi jyada tez dodne lga hai.Soch rahi thi yad shehar me kya kya badla hoga kya barf ke laddu wala abhi
bhi wahin apna thela lgata hoga,bagal wali Sharma aunti ka pyara sa kutta raino bhi ab badha ho gaya
hoga,ghar ke bachche badepap ke sath mujhe lene stand par aenge aur dur se hi bus dekh kar jor-jor se
chikhne lagenge,papa bhi mujhe dekh kar bahut khush honge magar us khushi ka izhar nahi karenge bas
itna bolenge ki exam thi to kya khana chhod diya tha dekh kitni dubli ho gae hai.

Yahi sochta sochte bahar ka nzara bhi dekh rahi thi abhi sham ka waqt tha aur lagta taha jaise suraj ne
apne sare rang balti bhar bhar kar asman me udel diye the ,man udati chidiya se kabhi is ped par to kabhi
us ped par fudak rha tha kyunk mai khush thi yad shehar jo ja rahi thi.

Tabhi achank mujhe kuch ajeeb sa mehus hua ,mai apni seat par thik se baith nahi pa rahi thi
kyunki bagl wale uncle jarurat se jyada jagah le rahe the aur apne hath pair faila kar baithe the. pahle to
kuch atpata sa lga mai apne hi dayre mai puri tarah chhokanni hokar baithi thi .unke bare me kuch bhi
galat sochne me dar lag raha tha kyunki ek to wo umra me bhi bahut bade the aur mujhe lagta tha ki aj
kal ke mahol me hamari soch itni chhoti ho gae hai ki hum kisi par bhi shak karne lagte hain par had to
tab ho gae jab unhone apna hath seat ke upar rakha aur wo mere baen kandhe ko touch hone lga thoda
sahas juta kar maine unse keh hi diya ki uncle ap thoda thik se baithiye mujhe baithne me pareshani ho
rahi hai ,ye bat shayad bagal wali seat par baithe ladke ne sun li thi jise maine manchala samajhkar
jhuth bol diya tha ,ab man bahar ke kisi najare me bhi nahi lag rha tha ek halka sa dar lag rha tha pta nahi
kyun,aisa nahi tha ki mai un par chhilla nahi sakti thi par dar ye tha ki me hi kahin kuch jyada to nahi soch
rahi thi ,mere man me debate chal hi rha tha ki achanak bus ruki aur mai present me laut pae ,bus ek
chhoti se hotel ke pas ruki thi jahan par hamesha se ruka karti thi aur abhi to halki gulabi thand ka
mausam tha aur yahan ke bhhutte to world famous the par mai apni hi dhun me itni kho gae thi ki is
stopage ke bare me bhul hi gae thi ek chhote se ladke ko ishare se bula kar maine ek bhhutta kharida aur
khane lgi tabhi khayal aya ki yad shehar ane me to abhi bhi 2 ghante baki hai aur phir thoda tension hone
lga.sari sawariyan phir se bus me chadh rahi thi aur wo ladka phir mere pas aya aur kehne lga tum jain
uncle ki beti ho na Shweta maine aashcharya se uski taraf dekha aur pucha tumhe kaise pta usne kaha
ki Bhandari aunti ko janti ho na maine dheere se han me sir hila diya wo meri mausi hain aur mai unhi
ke ghar ja rha hun mai man hi man soch rahi thi ye mujhe kaise janta hai aur shayd wo meri shakal se
samajh gaya tha ki mai kya soch rahi hun tabhi bola mera nam Vaibhav hai tumhara bhai hai rahul mera
friend hai chhuttiyon me mei aksar yad shehar ata rehta hun aur kai bar tumhe dekha hai"usne itna
kehkar phir meri taraf dekha aur pucha kya ab mai yahan baith sakta hun mujhe laga jaise bhagwan ne
mere liye ek farishta beja hai kunki phir se unhi uncle ke sath baithne ke khyal se hi ajeeb sa lag rha
tha.maine bhut khushi se kaha han bilkul.mere bagal me baithe uncle aye aur vaibhav se sawal jawab
karne lage aur vaibhav unhe koi reason de rha tha mai un dono ki taraf dekh to rahi thi par unki baton
par dhyan nahi de pa rahi thi kyunki vaibhav ke chehre ko dekh kar mai usi me kho gae thi uska rang
gehuan tha, nak thodi si alag,bal bhi halke se style me kate hue the kuch bhot alag tha to wo thi uski
ankhe aur smile ,ankhe jinhe dekh kar lagta tha ki wo jo bhi kahe mai us par aasani se vishwas kar sakti
hun aur hansi aise ki shayad duniya me isse jyada masum cheej koi ho hi nahi sakti.

Mai apne hi khayalon me itni kho gae thi ki jab usne meri taraf palat kar dekha to mai halki si chonk gae
aur samajh nai pae ki mujhe kya ho gaya tha.hum dono chup the mujhe samajh nai aa rha tha ki kya bat
karun tabhi usne kaha chalo mai apne apko formally introduse karta hun mera nam vaibhav hai I m
doing m.tech from the davv university I lived in indore aur abhi tumhare sath yad shehar jar ha hun mai
muskara di usne kaha tumhari smile badi pyari hai and I really started blushing par I m also a very
good actress so jaldi se apne apko balance kiya tabi wo bola ab tumhari bari maine kaha my name is
shweta jis university se tum m.tech. kar rahe ho wahin se mai bhi m.b.a. kar rahi hun mai yad shehar me
rahti hun aur abhi tumhare sath yad shehar hi ja rahi hun wo chaunk kar bola are tum mujhe university
me to kabhi deekhi nahi maine shaitani karte hue pucha kyun tum chahte the ki mai dhikun wo
muskura diya aur mai uski us smile par mar gae but I can see he was also blushing.phir to jaise hamari
baton ki nadiyan hi bahne lagi ho he was so much comfortable to talk,to listen,to laugh and to share
everything.

Yad shehar ka ye safar ab tak ka sabse khubsurat safar hone wala tha pta hi nahi chala kab 2 ghante nikal
gae aur yad shehar ka pehla stoppage aa gaya usne dheere se aur kuch dukhi awaaz me kaha oh yad
shehar aa gaya maine bahar jhank kar dekha to pehla stop aa gaya tha maine use kaha next stop par
mujhe utarna hai aur tum bhi wahin utroge na usne kaha nahi mai railway station wale stop par rukunga
maine thik hai keha aur bahar ki taraf dekhne lgi paltkar uski taraf dekha to mujhe hi dekh raha tha aur
achanak usne kaha shweta tumhari aankhe bhot acchchi hai mai apne ap ko uski ankhon me dekhne se
rok nahi pae aur jab hum dono ki aankhe jhanpki mera stop aa gaya tha bahar bade papa aur ghar ke
bachche khade the mai apni seat se uthi aur saman lekar jane lagi usne bye kehkar apna hath aage kiya
aur usse hath milate hi mujhe laga is touch ko mai pehchanti hun shayad bhut pahle se usne dheere se
kaha we will meet soon ye mera number hai 4 dino bad yad shehar se lautunga maine uska number lete
hue kaha yad shehar se indore jane wali bus ka time subah 6:30 ka hai time par ana

Aur mai bus se utar gae ye sochte hue ki yad shehar me in char dino ka mausam kuch alag hi hoga.

You might also like