1
Sriraj - Loge?
Deepak- Nahi
Sriraj - Thoda sa
Deeepak - Nahi aap lijiye. Thank you.
Deepak - Sir main ye nahi janana chahta kya hua tha, its not my business. Par
main ye zarur janana chahta hoon ki un logon ko aapke ghar mein zabardasti
ghusne ka adhikar kisne diya?
Srriaj - Mere khilaf saazish thi.
Deepak- A. U. ki ?
Sriraj- AU ke kuch logon ki . Sab jalte hain mujhse. Dekho main yahan bahar
ka aadmi samjha jata hoon.
Deepak - Why?
Sriraj - I am an outsider, urdu bolne wale shehar mein Marathi sikhata hoon,
shaadi shuda logon ke beech, main akela rehta hoon. Uske bawajood, linguistic
department ka chairman bana diya. Pata hai, aaj subah jab in logon ne meri bijli
kaati, toh maine socha ki university ke clock tower se jaakar jump laga doon, par
main ruk gaya… achha hua ruk gaya.
Deepak- achha hua Sir.
Sriraj - Now I’ll drink.
Deepak - Sir do u mind if I record this?
Sriraj - Karo karo
Deepak - Thank you sir, ab boliye sir.
Sriraj - January last mein, AU ke professor ne mujhe dhamki di thi, ki vo zyada din
tak mujhe Chairman ke pad par nahi tikne dega aur ek hafte ke baad yeh ghatna
ghat gai.
Deepak - Aap gay hain isliye?
Sriraj - Mujhe yeh shabd ka matalab samajh mein nahi aata baba
Deepak – Toh aap nahi hain Sir?
2
Sriraj - Koi meri feeling ko teen aksharon mein kaise samajh sakta hai ? Ye ek
kavita ki tarah se hai- bhavatmak, ek teevra ichha, jo aapke kaboo se bahar hoti
hai, uncontrolable urge…. Batao kin kin poet ko padha hai tumne?
Deepak- Poet? Poet toh kuchh zyada nahi, Tyson Wyson toh bahut confusing lagta
hai, shabdon ka aisa khel hai, sab upar se jaata hai.
Sriraj- Poetry shabdon mein kahan hoti hai? Poetry, kavita toh shabdon ke
antaral mein hoti hai, silence mein, phir log apne-apne hisaab se arth nikalte hain.
According to age , maturity,understanding.
Deepak- ‘Understand’- aapki jo kitab hai, bahut dhoonda maine, kahin mili nahi.
Sriraj- Naturally aaj kal kavita kharidta kaun hai? Tumhare generation ke logon
ko toh poetry ki samajh hi nahi hai... har cheez ko, kisi na kisi label se chipkana
chaahte hain. Fantastic ..Superb.. Awesome .. Fabulous.
Deepak – Phir Sir aapne AU kyon join kar liya?
Sriraj- I love AU
Deepak- No, I mean idhar koi, Marathi ka importance nahi hai.
Sriraj- I got very much respected here, now see Maharastra state mein saikdon
Marathi teacher hain, but in Aligarh, there is only one professor , S.R.Sriraj.
Deepak- Only one
Sriraj- Yeah.. only one
Deepak- Sir vo, us raat ke bare mein baat kar sakte hain.. Jo log andar ghuse, aap
jante the unko?
Sriraj- No
Deepak- Phir andar kaise ghuse?
Sriraj - Pata nahi.
Deepak- You think they broke in, ya aapne darwaza khula chhod diya tha? Talk to
me Sir you have to help me. I will help you. Please Sir.
Sriraj- Main aur mera dost yahan is bedroom mein the. Do log andar ghuse, ek
ke haath mein camera tha, aur ek ke haath mein danda tha. Dono hum par kud
pade. dande se maar rahe the, kaskar mere dost ko, mujhe kapde bhi nahi
pahanne diya unhone. They took my clothes. Main request kar raha tha, ki woh use
3
na maarein, tabhi achanak darwaje se mere chaar colleauges andar ghuse mere
bedroom mein….
Deepak- vo log idhar kya kar rahe the ? (Pause) its ok Sir
Sriraj- Am I drunk?
Deepak - Not yet.
Sriraj - Then I will have one more..
Deepak - Sure
Sriraj - My book----‘Paaya khaali hirwad’ (Marathi name) Grass Under My Feet.
Kabhi poetry padhne ka mann kare--------
Deepak- Thank you Sir. Yeh to Marathi lagta hai.
Sriraj- Translated version hai mere pass . But it is too much badly done. Sochta
hoon translate kar doon kabhi khud hi.
Deepak- Toh mujhe wahi wala copy dijiyega Sir
Sriraj- Sovereign
Deepak- Thank you Sir. In that case can I get autograph (Deepak pen nikalta hai)
Sriraaj- Apni pen se karuga main.
Deepak- Sign copy.
Sriraj- Love S.R. Sriraj. Theeek hai..
Deepak- Perfect. Ok Sir I’ll take your leave
Sriraj- Sambahal ke jana. bahut raat ho gayee hai.
Deepak- Pleasure meeting you . I’ll see you soon. Goodnight.
4