0% found this document useful (0 votes)
994 views8 pages

Mystery of The Sandal

1. Sameer's murder is investigated and several suspects are questioned, but the real killer remains unclear. 2. Clues from the crime scene and interrogations of witnesses complicate the case further. 3. The CID team searches multiple homes for additional evidence but finds no conclusive proof of who committed the crime.

Uploaded by

a0mittal7
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
994 views8 pages

Mystery of The Sandal

1. Sameer's murder is investigated and several suspects are questioned, but the real killer remains unclear. 2. Clues from the crime scene and interrogations of witnesses complicate the case further. 3. The CID team searches multiple homes for additional evidence but finds no conclusive proof of who committed the crime.

Uploaded by

a0mittal7
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 8

MYSTERY OF THE SANDAL

Continue ……..

Abhijeet niche aaya aur isi beech maya aur shilpa se daya ne jor dekar pucha tumhara aisa kya
lagao(attraction) Tha Sameer se jo tum dono ro rahi ho ?

Itne me Maya ne siskate hue kaha- sir Sameer ek achha ladka tha.

Daya- Fir apni behan LISA se uske riste ko lekar khilaf kyo thi?

MAYA- Sir kyoki suru me muje bhi AKASH Uncle ki baat par vishvash ho gaya tha aur mai bhi SAMEER ko chor
samaj rahi thi, magar aisa kuch bhi nahi tha SAMEER to ek imandar(honest) ladka tha.

DAYA- Tum itne vishvash ke sath kaise keh sakti ho?

MAYA- Kyoki maine dekha tha vo hamesha logo ki madad karta tha aur uske office me mera ek friend bhi kam
karta hai usne bhi muje bataya tha ki SAMEER ka office me sabse achha image hai wah apna kam hamesha
samay par karta hai aur bahut hi imandar hai . Aur vo 5 lakh rs bhi Sameer ke boss ne mere friend ke samne hi
diye they taki SAMEER agle din ek party ko vo rs. Ek party ko pay kar sake.

ABHIJEET- Ye tumhare dost ka naam kya hai?

MAYA- BHAVESH

DAYA- Kaha rehta hai BHAVESH ?

MAYA- MK ROAD SECTOR-2

DAYA- Uska mobile number kya hai.

MAYA- 88…….2

ABHIJEET ne phon lagaya –(Is this BHAVESH)

BHAVESH- Yes

ABHIJEET- Kya tum SAMEER KO JANTE HO ?

BHAVESH- Haa , lekin kya hua aap sammer ke bare me kyo puch rahe hai? Aap hai kon?

ABHIJEET- Mai CID OFFICER ABHIJEET HOO, aaj kisi ne SAMEER ka murder kar diya.

BHAVESH- Kya, OMG ! Sir ye aap kya keh rahe hai, aisa kaise ho sakta hai SAMEER to ek bahut hi achha vyakti
(person) tha , kuch hi dino me usne company me sab ka dil jeet liya tha , vo ek bahut hi nek dil insan tha uska
to koi dushman bhi nahi tha fir kon uska murder kar sakta hai.

ABHIJEET- BHAVESH Kya tum maya ko jante ho?

BHAVESH- Haan vo meri college ke time ki bahut hi achhi friend thi, aur Sameer unke hi building me fourth
floor me pan guest ban kar reh raha tha.

ABHIJEET- BHAVESH aage yadi hame tumhari jarurat padegi to hum tumse contact karenge . is case ki chan
been me tumhari jarurat pad sakti hai.

BHAVESH- OK SIR.
DAYA- Haa SHILPA tum ko ro rahi ho kahi tumne to SAMEER ka katla (murder) Nahi kiya hai?

SHILPA- Sisakte(rote) hue Sahab SAMEER Sahab bahut hi ache insan they kal hi unhone mere bête ke school ke
admission ke liye kuch paise udhar diye they vo dil ke bahut saf they aur hamesh sab ki madad karte they.

DAYA- Hmmm, aur AKASH JI, aap ka kehna hai ki aapke 5 Lakh rs SAMEER ne churay they kahi isi sak(doubt) me
to aap ne SAMMER ko jaan se nai mar diya?

AKASH- Ji nahi sir aap ye kya keh rahe hai, muje keval sak tha aur 5 lakh rs. Ke liye mai kisi ka jaan nahi le sakta.

DAYA- RANI kya ye baat sach hai ki jab tumne 5 lakh rs. SAMEER Ke ghar me dekha aur tumne iske bare me
SAMEER se pucha to vo tumhe marne doda ? aur tumhe kaise pata chala ki vo 5 lakh rs. Hi they?

RANI- Ji nahi sir maine SAMEER sahib ke ghar ki safai karte samay ek bag dekha jo khula hua tha, jisme rupye
(rs.) Bahar se hi dikh rahe they aur AKASH Sahab ke 5 lakh rs. Chori bhi hue they to muje laga ki ye kahi vo hi
rupay to nahi isliye mai bag ke pass gai tabhi SAMEER sahib ne muje dekh liye aur dod(run) kar mere pass
aaye aur jor se danta ki ye paise hanth naa lagao pure 5 lakh rs. Jama kar rakhe hue hai ek bhi idhar udhar hue
to problem ho jaygi.

DAYA- Wah aur tumne aa kar AKASH ko keh diya ki vo uske 5 lakh hai, jabki vo SAMMER ko office se mile 5 lakh
rs they jo use party ko payment karne ke liye diye gaye they.

RANI- Galti ho gait hi sahib, muje laga ki ye vo hi 5 lakh rs. Hai.

ISI BICH FREDRICKS , PANKAJ AUR PURVI Bhi waha aa jate hai..

ABHIJEET- Body ko post-mortem ke liye bhejwa do pankaj.

PANKAJ- JI SIR.

ABHIJEET- Aur baki aap sabhi log aap me se koi bhi kahi bahar nahi jayga jab tak ye case solve nah o jaye aur
asli mujrim pakda naa jaye.

AT CID BURRO –

FREDRICKS- Sir confirm ye khun RANI ne kiya hai.

ABHIJEET- Wo kaise ?

FREDRICKS- Sir usne final failaya chat(roof) par aur 5 lakh rs. Ke lalach me SAMMER ko mar dala.

DAYA – Wah! Wah! Case solved chlo RANI ko giraftar kar lete hai..

FREDRICKS- Dekha sir maine kaise aasani se case solve kar diya.

ABHIJEET , SHREYA, PURVI sabhi ke chere par dhimi smile thi.

DAYA- Magar FEDRICK Paise ke bare me hame pata chala hai ki vo to jise milne they use mil gaye hai , to kya
abhi bhi RANI katil hogi?

FREDRICKS- Sir aap hamesha aise hi karte hai aapne muje ye baat nahi batai thi ki party ko use paise SAMMER
Ne de diye they..

SAB EK SATH HUS(SMILE) PADE


ACP PRADYUMAN Side me khade ho kar gahrai se kuch soch rahe they aur achanak kehne lage- ABHIJEET kuch
to gadbad hai , Kuch to gadbad jarur hai ABHIJEET, Ye case to makdi ke jaal ki tarah ulajte hi jaa raha hai, tum
eke k se puchtach(inquiry) karo aur dusre Sandal ki talash karo , ho nah o ye jo dusra Sandal hai vo hi hame asli
katil tak le pahucha de.

ABHIJEET- JI sir, ye Dusri Sandal hi hame batayegi ki katil kon hai.

After some time-

AAge ki enquiry ke liye-

1. ABHIJEET , PURVI aur Pankaj ANJALI ke Ghar pahuch gaye.


2. DAYA, FREDRICKS aur SHREYA AKASH ke Ghar pahuch gaye.
3. Aur SACHIN, VIVEK AMIT ke Ghar pahuch gaye.

ABHIJEET , PURVI aur Pankaj - Sab ne pehle ANJALI ke ghar ki talashi li magar Sandal nai mila.

ABHIJEET to ANJALI- Sandal aap ki hi kahi aap ne hi to SAMEER Ko nahi mara .

ANJALI- Haa ye sandal meri hi hai par iska matlab ye to nahi ki maine hi SAMEER ko mara hai, mai use kyo
marungi.

PURVI- kyoki aap ki beti ke sath uska affair tha aur jo aap ko manjoor nahi tha.

ANJALI- Haa ye baat sach hai mai unke riste ke khilaf thi aur ye baat maine LISA ko samja di thi aur vo bhi is
meri baat maan gait hi.

ABHIJEET- LISA Kya ye baat sahi hai.?

LISA- ji sir

ABHIJEET- DHRUV JI aap LISA aur SAMEER ke bhag jane ke plan se bahut naaraz they kahi isi baat bar to aap ne
SAMEER ko jaan se nahi mar diya?

DHRUV- JI Sir mai naaraz tha aur abhi bhi hoo muje SAMEER Pasand hi nahi tha, vo Jab se aaya tha LISA ke
piche pada tha, muje vo kabhi pasand nahi aaya magar maine uska khun nahi kiya.

ABHIJEET to LISA- LISA kya SAMEER Tumhe pareshan karta tha. Tumhare piche pada tha.?

LISA- Rote hue , Ji nahi sir.

ABHIJEET- Are tum to rone lagi, koi pani le kar aao… Lo pani piyo aur fir bolo.

LISA- Sir isme SAMEER ki koi galti nahi thi, muje vo bahut pasand tha, aur maine iske bare me papa mummy ko
bhi bataya tha, magar unhone saaf inkar kar diya tha, isliye maine hi SAMEER ko bhag chalne ke liye kaha tha.

Magar SAMEER ne aisa karne se inkar kar diya tha aur kaha tha ki bhale hi kuch samay lage hum job hi karenge
ghar walo ki marzi se hi karenge. Isliye maine bhi uski baat mante hue bhagne ki baat dimag se nikal di thi.

ABHIJEET- DHRUV ji ab ka kehna hai aap ko SAMEER ke bare me Bhagne ka plan aap ki beti ka tha naa ki
SAMEER ka aur iski waja bhi aap log hi they.

DHRUV- chup chap sir(head) jhukay khada reh gaya.

DAYA, FREDRICKS aur SHREYA at AKASH HOME-


Sab se pehle talashi li gai magar AKASH Ke ghar me bhi kuch nahi mila.

DAYA to SURBHI- SURBHI JI ye bataiye jab SAMEER ka murder hua tab aap kaha thi?

SURBHI- mai tab kichan me thi, nasta bana rahi thi.

DAYA- To kya aap ko aisa kuch mahsoos nahi hua ki chat(roof) me kuch gadbad ho raha hai.?

SURBHI- JI nahi muje aisa kuch ehsas nai hua jab bahar bhid jama ho gai tab muje laga kuch hua hai aur mai bhi
bahar chali gai.

DAYA- Kitna time hua raha hoga us samay

SURBHI- yahi koi 7.45 am ya 8 am kea as pass.

FREDRICKS- Aap naste me kya bana rahi thi?

SHREYA aur DAYA- Ki aankhe badi ho gai aur chere par halki si smile aa gai thi.

SURBHI – Shocked ho kar JI !

DAYA- JI jane dijiye, ( FREDRICK ka chera niche ho gaya) aap ye bataiye ki aap ka beta suresh kaha hai?

SURBHI- vo apne kamre me hai, SURESH( SUBHI ne aawaz lagai)

SURESH bahar aaya aur CID ko dekh kar thoda ghabra gaya.

DAYA- SURESH ye batao jab ye sab hua to tum kaha they?

SURESH- Sir mai to us samay so raha tha , aur jab sabhi logo ki aawaze aane lagi to meri nind khul gai aur mai
bhi niche chala gaya.

SHREYA- tum sach keh rahe ho yaa koi kahani bana rahe ho?

SURBHI- JI nahi ye sach bol raha hai ye der raat tak study karta rehta hai aur subah late se uthta(get up)

Hai.

DAYA- ji thik hai kya karte ho tum SURESH waise?

SURESH- Mai abhi College me ho.

DAYA- Thik hai AKASH JI Aap bataiye aap us samay kya kar rahe they?

AKASH- Mai roz ki tarah newspaper padh raha tha. Tabhi bahar aawaze aane lagi aur mai bhi bahar chala gaya.

DAYA- Thik hai hum aap sab ko bahut jald fir yaad karenge. Aisa bol kar chale gaye.

SACHIN, VIVEK AMIT at AMIT’S HOME-

SAB NE AMIT KE GHAR KI TALASHI LI KUCH BHI NAHI MILA.

SACHIN- AMIT ye batao tum kitne years se SAMEER ko jante ho, vo tumhara dost tha naa.
AMIT- Sir mai SAMEER ko 5 yr se jata hoo, Uska abhi haal hi me yaha transfer hua aur kuch dino ke liye use
rehne ke liye maine use as a pan guest rakhwa diya the fourth floor par kyoki Fir kuch din baad use company ki
taraf se apartment milne wala tha.

SACHIN- Kaisa aadmi tha SAMEER?

AMIT- Sir vo ek nek dil insan tha aur bahut hi imandar(honest)tha, uske koi bhi dushman nahi they waise bhi is
city me vo bilkul naya tha to dushman hone ka sawal hi nahi hota. Bahut hi helping nature ka tha vo.

SACHIN- hmm. Ye batao ki aap us samay kaha they jab ye hua?

AMIT- Sir mai Bath le raha tha.

SACHIN- Aap ke father ka naam VED hai naa ? AUR mother ka naam priya?

AMIT – JI haa sir.

SACHIN- Kaha hai aap ke mother father?

AMIT- JI father aaram kar rahe hai aur mother kichan ke kam dekh rahi hai , father retired government worker
hai aur mother house wife hai.

SACHIN- OK AMIT hum aap ko jald hi jarurat padne par yaad karenge good bye.

AMIT – OK sir good bye.

AT LAB –

ACP PRADYUMAN , DR. SALUNKE, DR. TARIKA, DAYA AUR ABHIJEET PRESENT HAI.

ACP PRADYUMAN DR. SALUNKE SE PUCHTE HAI- SALUNKE kya hua post martam ki report batao.

DR. SALUNKE- ACP SAMEER Ki death morning 8 baje hui hai.

ACP PRADYUMAN- OOOOO, Or koi kahi chot ke nishan .

DR. SALUNKE- Nahi ACP sirf dhakka de kar ise niche giraya gaya hai, koi bhi hatah pai( fight) nahi hui hai, koi
bhi chot ke nishan nahi hai.

ACP PRADYUMAN- kafi sochte hue kon ho sakta hai jisne ise dhakka diya hai, ABHIJEET , DAYA Kya lagta hai?
Kon ho sakta hai?

ABHIJEET- Sir ab tak ki Investigation se ye pata nahi chal paa raha hai ki asli kati kon hai.

DAYA- Ha sir , Maine ABHIJEET ne aur SACHIN sab ki enquiry kar li magar asli katil ka pata nahi chal paa raha
hai.

ACP PRADYUMAN- Pata chalega Daya sab pata chalega, tum logo ne sab se puch tach kr liya hai?

ABHIJEET- JI Sir humne sabse puch tach kar liya hai .

ACP PRADYUMAN- ache se socho koi reh to nahi gaya?

DAYA- Haa sir vo cook(MANISH) , AUR SHILPA AUR RANI se ham eek bar fir se puch tach karni chahiye aur
sath hi BHAVESH Se bhi.

ABHIJEET- Sahi kaha DAYA . chalo..


DAYA ABHIJEET AUR ACP PRADYUMAN LEFT –

ABHIJEET to MANISH- MANISH ye bata tu kaha tha jab ye sab hua.?

MANISH- Darte hue, Sahab mai to ANJALI madam ke sath Kitchen ke kam kar raha tha. Maine kuch nahi kiya
sahib.

DAYA- achha manish tumne kaha tha SHILPA ka ANJALI ke sath jhagda(quarrel) hua tha, kis baat par hua tha ye
jhagda?

MANISH- Vo sahib saaf safai ko le kar. SHILPA Tu hi bata na sahib ko (SHILPA bhi wahi khadi thi)

SHILPA- Ji haa sahib vo mem sahib ko safai pasand nai aai thi jabki maine ache se safai ki thi, isi baat par mere
aur mem sab ke bich jhagda ho gaya tha. Maine kuch nai kiya sahib SAMEER sahib ne to mere bête ke school
me admission ke liye mereko paise diye they mai bhala us devta saman aadmi ko kaise maregi sahib.

DAYA to RANI- RANI batao tumne chat(roof) me fina wala pani kyo failaya tha? Kahi Tumne hi SAMEER ko nahi
mara?

RANI- Nahi sahib vo to mai roof ki floor saf karne gait hi aur jaise hi thoda sa safai ki mere ko yaad aaya ki
SURBHI mem sab kitchen me nasta bana rahi hai aur unhone mere ko doodh(milk) ka packet lane ko kaha tha,

Is liye mai safai chhod kar jaldi se dhood lene dukan chali gai.

DAYA , ABHIJEET Returned..

Now DAYA, ABHIJEET AUR ACP PRADYUMAN left to BHAVESH HOME-

Tino ja rahe they tabhi thodi hi door pahuche they ki raste me traffic jam ho gaya aur, Daya ne side me jeep
roki,

Pas me kuch kachra peti me kachra pada tha, abhijeet apne aadat se majboor sak (doubt) se kachre ke peti ko
dekhne lag gaya tabhi use achanak ek Sandal dikahi diya kachre me, jo bilkul use Sandal ki tarah tha jo use
Roof(chat) me mili thi, ABHIJEET jeep se bahar nikla aur jaa kar us Sandal ko utha liya, daya aur ACP bhi
ABHIJEET Ke pass pahuch gaye Daya ne kaha ye to hoobahu wahi Sandal hai ABHIJEET ne kaha Daya yahi hai
vo jiski hame talash thi mil gai hame dusri Sandal ab ye hame Katil tak le jaygi.

ACP PRADYUMAN- Ye road to side BHAVESH ke ghar ki taraf jaati hai, ABHIJEET , DAYA kuch samaj me aaya, ye
Sandal BHAVESH ke ghar ke jane ke raste me kachre peti me pada hai, kuch to gadbad hai , kuch to gadbad hai
Chalo BHAVESH ke ghar .

BHAVESH Ke Ghar Me Lock Laga tha-

ACP PRADYUMAN to DAYA- DAYA tod do ye darwaja, daya ne jor ki kick mari aur darwaja alag ho gaya,

Un logo ne ander jaa kar talashi suru ki, tabhi DAYA ne kaha sir ye dekhiye BHAVESH ki personal diary

ACP ne kaha jara dekho to kya likha hai BHAVESH ne apne personal diary me.

DAYA ne diary ko khola jisme BHAVESH ne bahut si personal baate likhi thi DAYA ne page palta aur aage
padha,

Jisme BHAVESH NE LIKHA THA-

ki aaj mera promotion nahi ho paya vo promotion jiske liye mai itne dino se intzar kar raha tha, jiske liye maine
din raat ek kar diya tha, jiske liye mai last 5-7 yr se intzar kar raha tha, vo bhi sirf us naye (new)
SAMEER ke karan Naa hi vo promotion ke liye transfer leta aur na hi yaha aa kar promote hota, to aaj ye
promotion muje mili hoti, aage aur likha hua tha ki ab to log muje bhul hi gaye hai jise dekho SAMEER
SAMEER, Meri office me koi value hi nahi rahi hai, boss bhi ab sabhi responsibility wale kam jo muje diya karte
they ab us SAMEER Ko dene lag gaye hai, muje to jaise sirf dekhne ke liye rakha hai office me.

Ye sun kar ACP PRADYUMAN TO DAYA & ABHIJEET- Kuch samaj me aaya ,

ABHIJEET – Ji sir ab khooni hamare sikanje se jyada door nahi.

ACP- Chalo BHAVESH ke office.

AT OFFICE-

Sabhi BHAVESH Ke promotion ki party kar rahe they kyoki ab promotion BHAVESH Ko mil chuki thi SAMEER Ke
bad vo hi tha jo Promotion ka hakdar tha, DAYA, ABHIJEET AUR ACP BHAVESH ko Burro le kar aaye

Aur puch thach suru ki…..

DAYA- Bata tune kyo mara SAMEER KO.

BHAVESH- SIR maine kuch nai kiya, bhala mai kyo marunga SAMEER KO?

DAYA- Sach bol tune apne promotion ke liye SAMEER Ko jaan se nahi mara?

BHAVESH- Pasina se bhiga hua aur dara hua , ji nahi maine nahi mara use.

DAYA- Slept to BHAVESH aur kaha sach bol warna hame sach bolwane ke tarike bahut ache se aate hai.

BHAVESH- Dara hua, ha sir ha maine mara SAMEER KO, Pichle kai year se jis promotion ke liye maine mehnat ki
thi vo promotion use kaise mil sakti thi, vo transfer lekar aaya sirf promotion ke liye aur kuch hi dino me pure
office me sab ka khash(special) ban gaya, boss ka bhi aur sabhi employee ka bhi, muje to jaise sab bhul hi gaye
they, meri mehnat ki to koi kadra hi nahi thi, fir maine decide kar liye ki mai SAMEER Ko raste se hata dunga.

PANKAJ NE baki sabhi logo ko jo jo building me rehte they unhe bhi pehle se hi burro me bula rakah tha.

ABHIJEET to BHAVESH- Batao tumne kaise ye sab kiya aur vo Sandal vo waha kaise aaya?

BHAVESH- Nahi. Sir vo, vo, vo

ABHIJEET- Vo, vo kya jail batao.

BHAVESH- Sir vo Sandal MAYA ne pehni thi.

ACP PRADYUMAN- Oho to MAYA Bhi is murder me tumhare sath mili hui thi, lo bhai Sandal to ghar ki hi thi aur
pehnne wali bhi ghar ki hi nikli, kyo MAYA?

MAYA pasina pasina ho chuki thi dari hui thi..

Tabhi BHAVESH- Nahi sir isme MAYA Ki koi galti nahi hai, ye mera plan tha aur sirf mai hi ye sab ke piche
jimmedar hoo.

BHAVESH- Mai aur maya dost se kahi badh kar hai, isi ka fayda uthate hue maine plan banaya ki MAYA Ke
sahare mai chup chap SAMEER Ke 4rth male me ja paunga aur kisi ko pata bhi nahi chalega.
Is liye maine MAYA Ko apne plan me shamil karne ke liye convince kar liya.

Fir mai agle din subah 6 baje hi SAMEER Ke apartment pahuch gaya kyoki muje MAYA ne bataya tha ki subah 6
baje bahut log nahi so kar uthe rehte hai aur tum kisi ke najro me nahi aaoge is liye mai subah 6 baje hi waha
pahuch gaya, SAMEER muje dekh kar thoda shocked ho gaya aur pucha tum itne subah kaise, maine kaha muje
company ke project se related tumhari help chahiye thi soch subah subah tumhare pass chala jao kyoki 10 baje
to office hota hai fir baad me time bhi nahi milta, I think maine tumhe distrube nahi kiya.

SAMEER ne kaha are nahi BHAVESH Aao ander aao, mera plan to use marne ka subah hi tha magar koi na koi
subah chat(roof) me jaa raha tha kyoki mosam bhi accha ho gaya tha barish hone ka aasar lag raha tha is liye
koi naa koi roof me hawa lene ja hi raha tha, ab 7.30 baj gaye they aur MAYA bhi SAMEER Ke apartment ke
bahar khadi ho kar aane jane walo par nazar rakh rahi thi jis se vo muje hint dete rahe, tabhi RANI roof me
chale gai aur safai karne lagi fir achanak 7.45 am ko kahi chale gai maine socha ab ye achha moka hai kaise bhi
SAMEER Ko roof me jane ke liye bola jaye, maine SAMEER se kaha kyo naa hum roof me chale kyoki mosam
bahut achha hai, thodi hawa khate hue discuss kar lenge SAMEER Raji ho gaya fir kyat ha, MAYA ne bhi bahar
se muje ok ka hint diya us samay waha koi nahi tha, mai aur SAMEER roof par chale gaye aur piche se MAYA
bhi roof par aa gai ab maine roof me moka pate hi SAMEER Ko niche dhakka(push) kar diya, aur waha se
bhagne laga mere sath MAYA Bhi bhagne lagi magar usi samay waha RANI ke failai hue final water par MAYA
ka pair thoda fisal gaya aur uska ek sandal wahi gir gaya, MAYA jaldi jaldi me ANJALI aunty ka Sandal pehan kar
aai thi, hame kuch samaj me nahi aaya aur hum waha us sandal ko chhod kar bhag gaye, sabhi niche bhid
lagaye hue they maine socha achha moka hai jaldi se waha se nikal liya jaye tabhi MAYA ne kaha ye ek Sandal
mere paw me hi reh gai hai mai kya karu, mai bhi bahut ghabaraya hua tha us samay mera pura concentration
waha se bhagne me tha to maine MAYA se kaha ye dusri Sandal tum muje de do mai ise kahi thikane laga
dunga aur tum moka milte hi roof me jaa kar pahli Sandal ko thikane laga dena, aur aisa keh kar mai Sandal le
kar waha se nikal gaya aura age kachre ke peti me fek diya , Magar is se pehle ki MAYA Pehle(First) Sandal ko
thikane lagati aap log waha pahuch gaye aur aap ke hath vo sandal lag gaya aur fir bad me dusri sandal bhi jo
maine kachre peti me feki thi.

ACP PRADYUMAN- BHAVESH gunahgar (victim) kitni bhi chaalaki kar le pakad me aa jata hi hai, ab hoga
tumhara jindgi bhar ka promotion jail me aur MAYA tumhe bhi BHAVESH ka sath dene ke jurm me kadi saja
hogi..

DAYA GIRAFTAR KAR LO INHE………….

THANKS….

BY- ABHINAV AGRAWAL

MOBILE- 8871894860

ADDRESS- NEW CHANGORA BHATA, MAHADEV NAGAR,

NEAR ASHADEEP SCHOOL, RAIPUR (C.G.)

You might also like