50% found this document useful (2 votes)
18K views444 pages

Bhool: A Tale of Regret and Redemption

The document narrates a story centered around a boy named Sameer who goes missing for over two months, causing distress to his parents. Upon his return, he shocks them by revealing he has married a girl named Priya, which leads to a confrontation about the circumstances that forced him into this decision. The story explores themes of mistakes, misunderstandings, and the consequences of actions taken in desperation.

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
50% found this document useful (2 votes)
18K views444 pages

Bhool: A Tale of Regret and Redemption

The document narrates a story centered around a boy named Sameer who goes missing for over two months, causing distress to his parents. Upon his return, he shocks them by revealing he has married a girl named Priya, which leads to a confrontation about the circumstances that forced him into this decision. The story explores themes of mistakes, misunderstandings, and the consequences of actions taken in desperation.

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 444

PROLOGUE

Bhool aisa shabd hai jise insaan apni life me ek na ek baar jarur karta hai jaan
bujh kar yaa fir anjaane me wo bhool agar bohat badi hai to insaan pachtaata hai
aur bhool utni badi nahi hai to kuch farak nahi padta Bhool kabhi karne wale ko
sabak sikhaata hai to kabhi uske saath uske aas paas ke logo ko bhi kabhi kabhi
insaan Bhool karke itna pachtaata hai ki wo uss manhoos ghadi ko kosne lagta
hai jis pal usne Bhool kiya tha wo har wakt bas yahi kehta hai ki kaash maine
aisa Bhool na kiya hota lekin kehte hai na Time and Tide waits for nobody abb
bhool kar hi diya hai to uska fal bhi to bhugatna padta hai yeh kahaani bhi ek
bhool par adhaarit hai iss kahaani me ek ladka se anjaani me bhool ho jaata hai
uss bhool ka asar bas usko hi nahi balki ek ladki ko bhi jhelna padta hai uss
ladke ne kya bhool kiya tha aur abb uss bhool se nikalne ke liye kya karta hai ye
kahaani ek ladka aur ladki ki bhool karne se lekar bhool ko suljhaane tak ka safar
ki kahaani hai to chalte hai kahaani ke saath ye dekhne ki kya bhool kiya tha uss
ladke ne aur uss bhool ke baad usko kya kya sehna pada
Mera Sameer kaha hai abhi tak kuch pata nahi chala 2 mahine se jyaada ho
gaya hai wo abhi tak ghar nahi lauta phone bhi nahi lag raha aakhir kaha chala
gaya college pass karne ke baad kitna khush ho kar ghar lauta tha acchanak
kaha gaayab ho gaya Police bhi abb tak usko dhund nahi paaye hai pata nahi kis
haal me hoga mera beta aap usko jaldi se dhund kar laaiye ye aawaaj kisi aur ki
nahi Sameer ki maa ki thi achanak Sameer ke do mahine se gaayab ho jaane ki
wajah se aur koi khabar naa milne ki wajah se uski maa ki ro rokar haalat bohat
kharaab ho chuki thi wo apne pati Mr Sharma ke saamne gidgidaakar ro rahi thi
aur apne beta ko dhund kar laane ko keh rahi thi
Mr Sharma:- shaant ho jao aise rone se Sameer aa jaayega kya beta hai wo
mera mujhe bhi uski fikar hai jald aa jaayega shaayad koi kaam me fanss gaya
hoga Mr Sharma ne bass itna hi kaha tha ki Mrs Sharma ne chillate hue kaha
Mrs Sharma:- aisa kaun saa kaam hai ki wo do mahine tak gaaayab ho jaaye
kam se kam ek baar to phone karta pata nahi kis haal me hoga wo jinda bhi hoga
ya nahi itna keh kar Mrs Sharma ekdam shaant ho gayi aur nichhe baith kar rone
lagi Mr Sharma ke pass bhi abb kuch kehne ki himmat nahi tha unko bhi Sameer
ki bohat fikar ho raha tha jaise taise khud ko sambhaal ke rakhe the unnki haalat
bhi Mrs Sharma ke jaise hi ho gayi thi bas wo ro nahi rahe the kuch der baad wo
apni patni ko sambhaalne ke liye kehte hai
Mr Sharma:- kuch nahi hoga hamaare bete ko abb wo bada ho gaya hai har
paristhiti se lad sakta hai wo bas kisi kaam me uljha hoga wo dekhna laut aayega
wo Mr Sharma ne ye keh to dia lekin wo hi jaante the ki kitna himmat jutaa kar
unhone ye kaha tha Mrs Sharma unki iss baat ka koi jawaab nahi deti bas chup
chaap ro rahi thi niche baithkar ab Mr Sharma bhi kuch nahi kehte wo bhi wahi
baith jaate hai aur soch rahe the ki kaise Sameer ko dhundha jaaye wo dono
kuch der aise hi baithe the ki tabhi unn ke ghar ke main door par kisi ka knock
hota hai knock sunte hi Mrs Sharma ekdam se utth jaati hai aur Mr Sharma se
kehti hai
Mrs Sharma:- shaayad Sameer hai mujhe pata tha wo laut aayega itna keh kar
Mrs Sharma gate kholne chali jaati hai Mr Sharma ko nahi lag raha tha ki ye
Sameer hoga lekin fir bhi Mrs Sharma ko kuch nahi kaha bas wo gate ki taraf
dekh rahe the ki raat ka 10:00 baje kaun aaya hai jaise hi Mrs Sharma gate kholti
hai baahar khade shakhs ko dekhkar bohat khush ho jaati hai aur chilla kar kehti
hai
Mrs Sharma:- Sameer aa gaya tu kitne din se gaayab tha tu itne dino baad laut
kar aaya hai apni maa ko kitna pareshaan kiya tune kyu bina bataye chala gaya
tha Mrs Sharma ne Sameer ko dekh kar rote hue kaha lekin agle hi pal Sameer
kesaath khadi ladki ko dekh bolti band ho gayi unko samajh me hi nahi aa raha
tha ki kya kahe jab unnhone Sameer aur uss ladki ko gaur se dekha to bohat
bada jhatka laga wo pichhe hatt gayi Mr Sharma bhi Sameer ka naam sunkar
jaldi gate tak aa pahunche lekin jab unhone bhi Sameer aur uss ladki ko gaur se
dekha to wo bhi bohat shocked ho gaye aur pal bhar me unke chehre me
pareshaani ki jagah gussa ne le liya Sameer bhi apne maa aur papa ka aisa roop
dekh kar dar gaya wo bhi darte hue haath jodd kar maanfi maangte hue bola
Sameer:- (rote hue) maa aur papa please mujhe maaf kar dijiye bohat majbur ho
gaya tha main meri ek bhool ne mujhe aisa majboor kar diya ki mujhe ye kadam
uthaana pada please maaf kar dijiye Sameer ye kehkar aur rone laga Mr Sharma
ka gussa Sameer ka aise rone se pighal gaya unhone bhi Sameer ki haalat
samajhte hue keh diya
Mr Sharma:- Sameer tum aur bahu abhi apne room me jao ye wakt baat karne
ka nahi hai kal iss baare me baat karenge Sameer ne ye baat sun kar thoda
raahat ki saans liya lekin wo bhi jaanta tha ki papa se bas aaj raat tak hi wo
bachega kal usko saara sach maa aur papa se kehna padega ye sab sochte hue
Sameer aur wo ladki Sameer ke kamre me chale jaate hain Sameer ke jaate hi
Mrs Sharma hairaani se Mr Sharma se kehti hai
Mrs Sharma:- ye sab kya kar dia Sameer ne hamse bina bataaye shaadi kar liya
agar hame bata deta to kya ham manaa karte ye Sameer ne accha nahi kiya Mrs
Sharma jo kuch der pehle dukhi thi abb uski jagah hairaani ne le liya
Mr Sharma:- iss baare me kal baat karenge Sameer hi batayega ki usne aisa kyu
kiya abhi itni raat ko main ghar me koi hangaama nahi karna chahta kal hi iss
baare me baat karenge abhi sone ke liye chalo sahi wakt pe sahi kaam hoga Mr
Sharma ki aawaj se hi laga raha tha ki wo kitne gusse me hai jaise taise unhone
apna gussa par kaabu kiya tha
In Sameer’s room
Sameer apne room me pahunch kar bistar par gir gaya uski aankho se thoda
aanso gir rahe the wo uss manhoos ghadi ko yaad karke pachta raha tha jis wakt
usne ye bhool kiya tha jaise hi wo ladki Sameer ke room me aa gayi usne chillate
hue Sameer se kaha
Ladki:- tumne mere saath aisa kyu kiya Sameer main tumse nafrat karti thi aur
main Karan se pyaar karti thi tumne mujhse shaadi karke meri jindagi barbaad
kar di tum bhi to mujhse nafrat karte the na to mujhse shaadi kyu ki? tum mujhse
badla lena chahte the issliye Sameer tumne ye accha nahi kiya main tumhe
kabhi maanf nahi karungi wo ladki gusse me sirf itna hi bol paayi shaadi se lekar
abb tak ke khaamoshi ko todkar usne bohat gusse me Sameer se kaha Sameer
ko to samajh me hi nahi aa raha tha ki uss ladki ki sawaal ka kya jawaab de
jindagi me pehli baar khud ko itna kamjor mehsoos kar raha tha Sameer fir bhi
usne uss ladki se najar hata kar dhire se kaha
Sameer:- mujhe maaf kar do Priya main bohat majboor ho gaya tha tumhe
bachaane ke liye mujhe tumse shaadi karna pada shaayad koi aur raashta bhi
nikaal sakta tha lekin wakt bohat kam tha mere pass issliye kuch samajh me nahi
aa raha tha aur majboori me mujhe tumse shaadi karna pada Sameer ki aawaj
se hi pata chal raha tha ki wo kitna majboor tha wo to acche se bol bhi nahi paa
raha tha jaise taise usne Priya se itna keh kar chup ho gaya
Priya:- abb apni galti chhupaane ke liye koi bahana dhundh rahe ho kya keh rahe
the tum mujhe bachaane ke liye tumhe mujhse shaadi karni padi tum aur main to
college me jaani dushman the na to tum mujhe kyu bachaane lage jarur iss
shaadi me tumhaara ko faaida hoga yaa fir tum meri life barbaad karna chahte
the Priya abhi bhi bohat gusse me thi jaise hi wo itna keh kar chup hui Sameer
ne fir se apna himmat juta kar apni safaayi pesh ki
Sameer:- han maanta hun tum meri dushman thi shaayad aaj bhi ho lekin main
apna dost ho ya dushman kisi ko pareshaan karne ke liye itna niche tak nahi girr
sakta main tumhe iss liye bachaana chahta tha kyu ki meri hi wajah se tumhaari
life barbaad hone jaa rahi thi anjaane me mujhse aisi bhool ho gayi thi jisko
sudhaarne ke liye mujhe tumse shaadi karna pada maaanta hun ki shaadi karke
maine koi accha kaam to nahi kiya lekin aur paap karne se khud ko rok liya
please ek baar mera puri baat sun lo mera aisa karne ki picche kya wajah hai
Sameer aage bohat kuch kehna chahta tha lekin Priya ne usko bicch me hi chup
kara diya aur bolne lagi
Priya:- nahi sunni mujhe tumhaari koi baat maine tumse ye expect nahi kiya tha
ki tum itna gir jaoge iss shaadi ka pura dosh main tumhe nahi de sakti kyuki iss
me mere parents bhi utna hi doshi hai maine kitna manaa kiya tha ki main ye
shaadi nahi karungi lekin meri baat nahi suna jabardasti mera shaadi karwa diya
paise ke liye meri jindagi barbaad kar diya papa to paise ke liye laalchi hai wo
kisi bhi hadd tak gir sakte hai lekin maa ne aisa kyu kiya ye samajh me nahi aa
raha khair jo bhi ho ek baat sun lo Mr Sameer Sharma main abb bhi iss shaadi
ko nahi maanti ye to main nahi jaanti ki tumhaare mujhse shaadi karne ki picche
kya makshad hai par ye jaan lo ki main tumhaare wo makshad kabhi kaamyab
nahi hone dungi mujhe tumse divorce chahiye main tumhaare saath nahi rehna
chahti tumse divorce lene ke baaad main Karan se shaadi kar lungi Priya ki
aankhe gussa se laal ho chuki thi aur andar se bohat dukhi bhi thi apni jabardasti
ki shaadi ki wajah se wo chilla chilla kar Sameer se baat kar rahi thi Sameer ko
dar bhi lag raha tha ki kahi uske maa aur papa Priya ki baat na sun le Sameer ne
bhi Priya ka gussa dekh abbhi jyaada bolna sahi nahi samjha aur Priya ko shaant
karne ke liye bas itna hi bola
Sameer:- ok Priya thik hai main tumhe divorce de dunga aur tum Karan se
shaadi kar lena chalo abhi so jao abb kya karna hai wo kal sochenge itna keh kar
Sameer bed par se uthh gaya aur sofe pe chala gaya sone Priya bhi bed pe lait
kar kuch der tak apni iss shaadi ko yaad karke roti rahi aur fir kuch der baad so
gayi idhar Sameer ki aankho se neend koso dur tha wo baar baar uss manhoos
ghadi ko yaad karke pachtaa raha tha wo soch raha tha ki kal maa aur papa ko
kya jawaab de apne dost ko kya jawaab dega samaaj me kitna badnaami hogi
aur to aur Shruti ko kya jawaab dega bas yahi soch aur tension me usne saari
raat jaag kar kaat liya
Subah jab 5:00 baja to Sameer ne dekha room me Priya so rahi thi abb bhi uske
chehra ka dard dikh raha tha wo jaldi se room se baahar nikal kar ground floor
par hall me chala gaya usko yakin tha ki uske maa aur papa abhi wahi maujood
honge jab wo hall me pahuncha tab usne dekha uske maa aur papa Sameer ka
hi wait kar rahe the Sameer apna papa ka gussa bhara chehra dekh dar gaya
aur sir(head) jhuka kar saamne rakha hua sofa par baith gaya uske baithte hi
uske papa ne usse raubdaar aawaj me kaha
Mr Sharma:- to aa gaye janab shaadi karke shaadi karne ki itna jaldi tha ki hame
ek baar bataana bhi thik nahi samjha Sameer apne papa ki gusse bhari aawaj se
dar gaya kya kehna hai kuch samajh me nahi aa raha tha bas sir jhuka kar darte
hue itna hi kaha
Sameer:- maaf kar dijiye papa main bohat majboor ho gaya tha ek bhool kar diya
tha jiski praayaschit karne ke liye mujhe ye shaadi karna pada
Mr Sharma:- to kya majboori thi ye bataaane ki kasht karenge? aur aisi bhi kya
majboori thi ki aap hame phone bhi nahi kar paaye? Mr Sharma ki baat se hi lag
raha tha ki wo kitne gusse me hai aur Sameer ka aisa chhup rehna unko aur
gussa dila raha tha wo gusse me fir se bole
Mr Sharma:- chhup kyu baitha hai itna bada kaand kar diya aur abb chup baitha
hai abb kuch bolega ya nahi Mr Sharma ka achanak itna gussa ho jaane se
Sameer bohat dar gaya uske mouh se aawaj nahi nikal raha tha Sameer ko abb
bhi chup dekh kar Mr Sharma ka gussa saatwe aasman me pahunch gaya wo
apni jagah se ekdam se utth gaye aur gusse se bole
Mr Sharma:- to tu nahi batayega aaj to main tera jaan le lunga itna keh kar wo
Sameer ki taraf badhne lage lekin bich me hi Mrs Sharma aa gayi aur Mr Sharma
ka gussa shaant karte hue boli
Mrs Sharma:- please aap shaant ho jaaiye uski baat to suniye shaayad koi bohat
badi majboori hogi uski itna keh kar Mrs Sharma Sameer ki taraf dekhti hai aur
Sameer se kehti hai
Mrs Sharma:- Sameer beta aise chup kyu baitha hai bata de apne papa ko sach
darne ki koi jarurat nahi hai main jaanti hun tu kabhi galat kaam nahi karega bata
de beta sab sachh bata de Mrs Sharma ne ye baat laghbhag rote hue kaha unko
dar tha ki kahi Mr Sharma gusse me Sameer ko kahi kuch kar na de wo bhi
jaana chahti thi ki aakhir Sameer ne itna bada decision apne maa baap ko bina
bataaye le liya Mrs Sharma ki baat sunne ke baad Sameer me thoda himmat
aaya wo bhi darte darte bolne laga
Sameer:- papa jab main Priya ke gaanw gaya tha to waha par network nahi aa
raha tha aur sab kuch itne jaldi me ho gaya ki bataane ka mauka hi nahi mila
Mr Sharma:- wahi to main pucch raha hun aakhir kya baat ho gayi ki tujhe shaadi
karna pada wo bhi bina hame bataaye Mr Sharma ki aawaj me abhi bhi gussa
tha unka aisa roop dekh Sameer ne bhi sab kuch jaldi se bata dena hi sahi
samjha aur usne suru se lekar ant tak jo bhi hua wo sab batata chala gaya
Sameer ki puri baat sunne kebaad Mr Sharma aur Mrs Sharma ke chehre ke
bhaaw ekdam badal gaye unn dono ko to viswaas hi nahi ho raha tha ki Sameer
aisa ghatiya kaam kar sakta hai Mr Sharma chal kar Sameer ke pass pahunch
gaye aur uske gaal pe do jordaar thappad laga diya aur gusse se bola
Mr Sharma:- mujhe tujhse iss baat ki ummid nahi thi tu kaise itna gir sakta hai ek
ladki ki jindagi ko tune barbaad karne ka socha kaash tujh jaisa beta paidaa hi
nahi hota to accha rehta itna keh kar Mr Sharma Mrs Sharma ki aur dekh kar
kehne lage
Mr Sharma:- kal tum iss naalaayak ke liye ro rahi thi na kaash sach me ye marr
hi jaata to accha hota hamne iske liye kya kuch nahi kiya bachpann se lekar aaj
tak iss ka harr zidd ko pura kiya kabhi kisi cheej ki kami nahi hone diya aur issne
hame kya diya? issne hame hamaare hi najar me giraa diya kuch din me iss
naalaayak ki Shruti ke saath engagement hone waali thi abb uss bechaari Shruti
par kya beetegi jab wo iss naalaayak ki kartut ke baare me jaanegi isne uska bhi
bharosa aur pyaar dono hi todd diya kisi aur se shaadi karke aa gaya pure
society me hamaara badnaam kar diya naak kaat diya isne apni harkato se itna
keh kar Mr Sharma chup ho gaye Sameer ko bohat bura lag raha tha ki uske
papa ne aaj usko itna kuch keh diya mar jaane tak bol diya lekin wo bhi feel kar
raha tha ki usne kya galti kiya hai wo thodi der chup rehne ke baad himmat jutaa
kar itna hi kaha
Sameer:- papa aapko mujhe jo bhi kehna hai keh lijiye jitna bhi maarna ho maar
lijiye lekin please Priya ko kuch mat kahiye uski koi galti nahi hai sab meri wajah
se hua hai Sameer ne darte darte Mr Sharma se kaha Mr Sharma ne uski baat
sunkar Mrs Sharma se kaha
Mr Sharma:- chalo yaha se kuch der yaha par baitha to naa jaaane kya kar
dunga mujhe abhi iss ka chehra bhi nahi dekhna Mr Sharma itna keh kar gusse
se apne room me chale gaye Mrs Sharma bhi Sameer ko dekhte dekhte Mr
Sharma ke piche piche chali gayi unke chehre me bhi aascharya ki bhaaw dikh
rahe the unko yakin hi nahi ho raha tha ki Sameer aisi harkat bhi kar sakta hai
jab Mr Sharma aur Mrs Sharma apne room me chale gaye to Sameer waha
akele khada reh kar rone laga usko pata tha ki Mr and Mrs Sharma usse bohat
gussa ho jaayenge lekin usne ye nahi socha tha ki wo log aise bhi react karenge
wo khada hokar hi ro raha tha aur aage abb aur kya kya sehna padega wo soch
raha tha Sameer apne parents ke jaane ke baad kuch der tak khade khade rota
raha kuch der rone ke baad wo wahi sofe par baith gaya uske pass itna himmat
nahi bacha tha ki waapas room me jaaye room me chala jaata to Priya ki baate
sunni padti pehle hi wo apne papa ki kadwi baatein sun chuka tha abb himmat
nahi tha kisi ki baat sunne ka bohat toot chuka tha wo andar se wo sofe par
baithkar apne kiye gaye bhool ko kos raha tha aur aane waali kal ko soch kar
pareshaan ho raha tha usne apne saath saath Priya ki jindagi ko bhi daaw par
laga diya tha wo kuch der hi baitha tha sofa par tabhi ek ladki ki aawaj ne usko
aur pareshaan kar diya
Ladki:- Sameer kaha chale gaye the tum itne dino se? ek baar to phone kar dete
pata hai main kitna intejaar kar rahi thi tumhe to meri koi parwaah hi nahi hai
Sameer ne jaise hi iss aawaj ke taraf muda door se Shruti ko aate hue dekha
Shruti ke saath uske mom aur dad bhi the Shruti Sameer ke ghar uske parents
se uske baare me pucchne aayi thi lekin jaise hi usne Sameer ko dekha usne
khushi se jaldbaazi me ye sab bol diya Sameer Shruti aur uske parents ko aise
aate dekh aur bhi ghabra gaya abb kya kehna hai kya karna hai kuch samajh me
nahi aa raha tha usko iss wakt Shruti ka yaha aane ki koi expectation nahi tha fir
bhi darte darte ussne itna hi kaha
Sameer:- Shruti tum iss wakt yaha? ghabrahat ke kaaran Sameer ke mouh se
aur koi aawaj nahi nikla
Shruti:- tumhaare baare me hi puncchne aayi thi lekin tumne to ham sabko
surprise de diya yaha aa gaye the to raat me phone kar sakte the naa? aur ye
bataao itne dino se kaha gaayab the ek baar bhi phone nahi kiya mujhe nahi kiya
koi baat nahi lekin apne mom aur dad se to kar lete pata hai wo kitna ghabra
gaye the Shruti Sameer se pyaar se ye sab baate keh rahi thi wo itne dino ki
judaai ke baaf milne se Sameer se bohat saari baatein karna chahti thi wo to
bohat kuchh bolne waali thi lekin uski mom ne usko bicch me hi rok diya
S mom:- abb bas bhi kar Shruti kitna sawaal pucchegi? Sameer ko bhi to bolne
ka mauka de kab se tu hi badbadaye jaa rahi hai Shruti ki mom aur dad ki
baatein sun kar Mr and Mrs Sharma bhi baahar aa gaye unka room ground floor
par hi tha to wo log sab baatein sun rahe the suru me to unhe bhi samajh nahi
aaya ki abb kaise Shruti ki mom aur dad se najarein milaaye lekin iss tarah se
darte hue andar baithne se baahar aakar baaat karna hi thik samjha aur aa gaye
unke baahar aane se hall me maujood sabhi logon ki dhyaan unpar chala gaya
Shruti ki mom aur dad ki chehre me khushi tha to Sameer ki chehre me chinta
aur pareshani wo abb aane waale pal me kya hoga bas yahi soch raha tha Shruti
ki dad kuch bolne hi waale the ki Mr and Mrs Sharma ki chehre ki pareshani ko
dekh kar chup ho gaye aur Shruti ki mom ko bhi chup rehne ka ishaara kar diya
kuch der baad Shruti ke dad bole
S dad:- kya hua bhai sahab? sab thik to hai na aap ka beta ghar aaya hai aap
khush hone ki jagah pareshan lag rahe hai Shruti ke dad ki iss sawaal ka Mr
Sharma ne koi jawaab nahi diya wo Shruti ke dad ko Sameer aur Priya ki shaadi
waali baat kaise samjhaaye yahi soch rahe the kuch der chup rehne ke baad wo
bole
Mr Sharma:- hame maaf kar dijiye bhai saahab abb ye shaadi nahi ho sakta Mr
Sharma ne haath jodd kar maafi maanga unke chehre me sharmindgi saaf najar
aa raha tha Sameer ko uske papa ki aisi haalat dekh khud pe hi bohat gussa aa
raha tha usne apni mutthi kaske bheench liya Shruti ki mom dad to ye khabar
sunke shocked ho gaye Shruti ko to kaise jhatka lag gaya ho wo bilkul khaamosh
ho gayi lekin uske dad ne fir se Mr Sharma se poonch liya
S dad:- kyu bhai saahab hamse koi galti ho gayi kya agar aisi baat hai to please
bata dijiye ham sudhaar lenge lekin iss tarah shaadi mat todiye meri beti Sameer
se bohat pyaar karti hai uske baaare me to sochiye Shruti ki dad ne ye baat
bohat hi dukh bhari aawaj me kaha unko vishwaas hi nahi ho raha tha ki Mr
Sharma ne shaadi ko todne ki baat kahi hai unko thoda vishwaas thaa ki unki
baat sunne ke baad Mr Sharma apna shaadi ko todne waala faislaa waapas le
lenge Mr Sharma kuch kehne hi waale the ki siddhiyon se Priya neeche aa gayi
sabhi Priya ki taraf dekhne lage Shruti Priya ko yaha aise achaanak dekh kar aur
bhi shocked ho gayi Sameer ki haalat aur kharaab ho gaya
Mr Sharma:- nahi bhai saahab aapse koi galti nahi hua hai galti to iss
naalayak(Sameer) ne kiya hai kal hi ye waapas aaya tha aur wo bhi shaadi karke
hame bhi nahi bataya tha iss ne kal hi pata chala ki ye shaadi karke aaya hai
main to kahunga ki ye naalayak Shruti ko deserve hi nahi karta tha itna keh kar
Mr Sharma chup ho gaye unki aawaj se sharmindgi aur Sameer ke liye gussa
saaf najar aa raha tha Sameer to har ek pal khud ko apni hi najar me giraa hua
mehsoos kar raha tha Shruti to apne jagah par hi jamm gayi thi Sameer aur Priya
ki shaadi ki baat sunkar wo apni jagah se hill bhi nahi paa rahi thi mouh se koi
aawaj bhi nahi nikal raha tha kuch der tak mahaul me ek khaamoshi chaa jaati
hai jisko todkar Shruti ki mom kehti hai
S mom:- bhai saahab jarur koi majboori rahi hogi Sameer ki warna wo aisa nahi
karta jarur iss ladki ne fasaya hoga Sameer ko aise ladkiyon ko main acche se
jaanta hun paison ke liye bade ghar ke ladkon ko fasaa kar shaadi kar leti hai
main jaanti hun aisi ladkiyon se piccha chhudaane ki tarika Shruti ki mom itna
keh kar chup ho gayi aur Priya ko gusse se ghurne lagi Priya bhi unki baat
sunkar bohat gussa ho gayi aur gusse se Sameer ko dekhne lagi Priya kuch
bolne hi waali thi ki Sameer ne haalat ko aur naa bigaadne ke liye Priya se pehle
hi bol diya
Sameer:- aunty please Priya ko kuch mat kahiye saari galti meri hai maine hi
jabardasti shaadi kiya tha Priya se Priya to mere hi kaaran fanss gayi thi iss
shaadi ki lafdon me par yakin kijiye aunty main bohat majboor tha iss liye naa
chahte hue bhi ye shaadi karna pada Shruti ki mom ne jab Sameer ki baat sua
tab unhonne gusse me Sameer se kaha
S mom:- chahe jitni bhi majboori kyu na ho tumhe Shruti ko dhokha nahi dena
chahiye tha tumne iss ladki ke liye Shruti ko dhokha diya jaante ho Shruti tumse
kitna pyaar karti hai jab tum yaha nahi thhe to ye har wakt tumhaare liye dua karti
ki tum jaha bhi ho sahi salamat raho har wakt tumhaara fikar karti thi lekin tumne
kya kiya Shruti ko dhokha de diya (Mr Sharma ki taraf dekhte hue) accha
sanskaar diya hai bhai saahab aapne apne beta ko meri beti ki jindagi barbaad
kar diya abb pata nahi Shruti ka kya hoga kitni khush thi Sameer se shaadi ki
baat se lekin abb sab khatam ho gaya Shruti ki mom itna keh kar chup ho gayi
Mr Sharma ne sharmindagi se gardan jhukaa liya Sameer ko ye bardaasht nahi
hua jab tak Shruti ki mom ne sirf uske baare me kaha tha tab tak wo chup tha
lekin jab unhone Mr Sharma ke baare me kaha usko bardaasht nahi hua aur
gusse me usne bhi jawaab diya
Sameer:- bas aunty bas bohat bol liya aapne maine kisi ko dhokha nahi diya hai
pucchiye aap Shruti se maine kabhi usko pyaar karne ki baat kahi hai kya main
to usko bas apna dost maanta hun jab usne mujhe propose kiya tha tabhi maine
manaa kar diya tha aur kahaa tha ki main ussko sirf apna dost maanta hun mere
dul me uske liye pyaar jaisi koi baat nahi lekin ye apni jidd me addi rahi aur papa
aur maa se shaadi ka rishta bhijwaya aap dono ke haatho maa aur papa ko bhi
koi problem nahi tha to unhone iss rishta ko accept kar liya maine bhi apni papa
ki baat maaan kar shaadi ke liye haa keh diya ek na ek din to shaadi karni hi thi
mujhe laga papa aur maa ko Shruti pasand aa gayi hai to mere liye bhi yahi sahi
rahega iss tarah se Shruti ka dil bhi nahi tootega Shruti ko ye baat pehle hi
samajh jaani chahiye tha ki one sided love me kayi baar dil toot ta hai pyaar kiya
hai to anjaam ka fikar nahi hona chahiye pyaar ka matlab sirf paana hi nahi hota
hai agar Shruti mujhe sacch me pyaar karti hai to meri majboori samjhegi mera
har haal me saath degi agar buraa laga ho to maaf kijiye main apne papa ke
khilaaf koi baat nahi sun sakta unki koi galti nahi hai meri bhi iss maamle me koi
dosh nahi main to sirf Priya ka doshi hun itna keh kar Sameer chhup ho gaya
jaise hi wo chup hua khud usse bhi samajh me nahi aaya ki usne kaise gusse me
itna kuch bol diya abb gusse me bol to diya abb aage kya hoga iss baat ka dar
uske chehre pe dikhaayi dene laga Sameer ki baat sunne ke kuch der baad
Shruti ke dad bole
S dad:- Shruti abb chalo yaha se abb ye rishta toot chuka hai koi faaida nahi
yaha baith ke itna keh kar Shruti ke dad waha se chalne lage lekin Shruti to hill
bhi nahi paa rahi thi usko Sameer aur Priya ki shaadi se sadma laga tha usko
naa hilta dekh Shruti ki maa usko jabardasti apne saath khincch kar le kar gayi
uske chehre me dukh aur Priya ke liye gussa aur nafrat tha Shruti aur uske mom
dad ke jaane ke baad Sameer darte hue apne papa ko dekhne laga jab usne
papa ko dekha to uske papa gusse ke saath uski taraf hi baddh rahe the jaise hi
Mr Sharma Sameer ke pass aaye unhone fir se ek jordaar thappad Sameer ke
gaal par maar diya Sameer ne bhi apna gardan niche jhuka liya usne jab apne
papa ko aate dekha ussi wakt soch liya tha ki fir se thappad khaane ka wakt aa
gaya hai usko iss thappad se koi khaas fark nahi pada wo to bas sir jhukaa kar
soch raha tha abb kaise papa se baat kare usko to baat karne par bhi sharm aa
raha tha wo aise hi gardan jhukaa kar baithaa tha ki Mr Sharma ne bolna shuru
kar diya
Mr Sharma:- abb kya hua kyu sir jhuka kar khada hai kuchh der pehle to bohat
badi badi baat kar raha tha Shruti ki maa se abb kya shaanp sungh gaya tujhe
bolta kyu nahi Mr Sharma ki baat sunkar Sameer kuch der ke liye chup raha
usne socha ki galti uski hi hai to iss maamle me chup rehkar apni galti par parda
nahi daal sakta kuch der baad himmat karke wo bola
Sameer:- papa main kewal aapka maa ka aur Priya ka gunehgaar hun kewal aap
log ko adhikaar hai mujhe kuch kehne ka koi aur aakar aap par ungli uthaaye aur
kuch kahe main ye bardaasht nahi kar sakta maanta hun ki jo bhi hua accha nahi
hua shaayad Shruti ka dil toot gaya hoga lekin maine pehle hi usko bata diya tha
ki mere dil me uske liye koi feelings nahi hai aur ye shaadi mere liye sirf ek
arranged marriage hai jo main sirf apne family aur uski khusi ke liye kar raha hun
Mr Sharma:- koi mujh par ungli uthaaye ye tujhe pasand nahi lekin kaam tune
aisa kiya hai ki har koi ham par hasenge hamaare upar sawaal uthaayenge
saamne se aur peeth picche tab kya karega tu? kitno ko rokega? sabhi
reputation maam maryada aur izzat mitti me mil jaayega mujhe uss baat ko lekar
itna tension nahi hai mujhe to dukh iss baat ka hai ki tu mera beta hokar kaise
aisa kar sakta hai kitna garv tha mujhe tujhe apna beta kehte hue kitna accha
sanskaar diya tha teri parwarish me bhi koi kami nahi rehne diya tha main ek Dr
hun fir bhi tere liye hamesha wakt nikaala hai maine kabhi tujhe akela mehsoos
nahi hone diya hamesha tera saath diya maine har ek zimmedari ko acche se
nibhaaya jo ek acche pita ko nibhaana chahiye lekin tune kya kiya mere diye
sabhi sanskaaro ko mitti me mila diya meri izzat par daag laga diya Shruti ke
parents ke saamne sir jhukaa diya ek ladki(Priya) ki zindagi barbaad kar diya bas
apna badla puraa karne ke liye aur apna ego satisfy karne ke liye mujhe tujh se
ye ummid nahi tha Sameer Mr Sharma ne ye saari baatein bohat dukhi ho kar
kaha tha itna keh kar wo chup chaap waapas apne room me chale gaye Mrs
Sharma kuch nahi bol paa rahi thi wo bhi Sameer se kuch kehna chahti thi lekin
abhi haalat ko samajhte hue wo bhi Mr Sharma ke saaath andar chali gayi
Sameer har pal khud ki najar me hi gir raha tha Mr Sharma ki baat uske dil ko
andar tak chhot pahuncha raha tha wo har ek pal andar hi andar toot raha tha koi
nahi tha jise wo apni baat samjha sake wo waha par khada nahi reh saka aur
jaldi se apne room me chala gaya wo apne room me pahunch kar sofa me baith
gaya wo baar baar apni galti ko yaad kar raha tha apne papa aur Shruti ki
parents ki baat ko yaad kar raha tha aur aage kya karna hai wo soch raha tha
kuch der aise hi sochne ke baad usko ummid ka chhota sa roshni najar aaya wo
kuch decision le usse pehle wo Priya ka intejaar kar raha tha kuch der baad
Priya bhi room me aa gayi jaise hi Priya room me aa gayi Sameer ne kaha
Sameer:- Priya mujhe tumse kuch kehna hai
Priya:- abb kya kehna hai tumhe itna kar ke bhi tumhaara dil nahi bhara jo aur
pareshaan karna chahte ho mujhe Priya ki aawaj se hi uska Sameer ke liye
gussa saaf najar aa raha tha Sameer ne bhi socha abb baat ko jyaada
ghumaane se accha hai sidha hi Priya ko bata diya jaaye
Sameer:- Priya tum Karan se ek baar baat karlo ho sakta hai wo tumse shaadi
karne ke liye maan jaaye aur tumhaari saari problem dur ho jaayegi Priya ko bhi
Sameer ki baat sunne ke baad thoda thoda ummid najar aane laga wo kucch
soch hi rahi thi ki Sameer ne Karan ko phone laga diya aur phone ko
loudspeaker pe laga diya udhar se Karan ne phone uthaa liya
Karan:- abb kya kehna chahta hai be? tujhe to main nahi chhodunga kammeene
Karan ne phone pick karte hi Sameer pe chillana suru ho gaya
Priya:- Karan main bol rahi hun Priya
Karan:- oh to tumne phone kiya hai ye jaaane ke liye ki main abb bhi jinda hun ya
mar gaya ek baat yaad rakho ki main tumhaare bina bhi jee sakta hun Karan ne
bohat hi gusse me Priya se kaha
Priya:- Karan ek baar meri baat to suno main iss shaadi se khush nahi hun ye
shaadi meri marji ke khilaaf hua hai main to tumse shaadi karna chahti thi aur
abb bhi chaahti hun
Karan:- what? tumne ye kaise soch liya ki main tumse shaadi kar lunga shaadi
tum Sameer ke saath karo raat uske saath bitaao aur jab wo pasand nahi aaya
to abb mujhe fansalo kya main tumhe itna bewkoof dikhta hun ye sunte hi Priya
ko bohat bada jhatka laga uske haath se mobile nicche bed par gir gaya wo bhi
bed par gir gayi aur jor jor se rone lagi usko vishwaas hi nahi ho raha tha ki
Karan aisa kucch bhi keh sakta hai phone loudspeaker me hone ki wajah se
Karan ne jo baat Priya se kaha tha wo saari baat Sameer bhi sun chuka tha
Sameer Karan ki baat par bohat gussa ho gaya aur bed se phone uthaa kar
sidhe Karan par baras pada
Sameer:- kya pyaar nibhaaya hai kutte tune agar pyaar karta hiai to nibhaana bhi
chaahiye aur pyaar par viswaas bhi hona chahiye lekin main tujh jaise kutta
kameena ko kyu samjha raha hun tu kitna bada kameena hai wo to main pehle
se hi jaanta tha lekin mujhe laga tha ki tu shaayad Priya se sach me pyaar karta
hai lekin abb pata chala shaayad kutte ka puncch sidha ho sakta hai lekin tujh
jaisa kutta kabhi nahi badal sakta hai aur sabse badi baat mujhe ye bata ki tujhe
kaise pata chala mera aur Priya ki shaadi ki baat? Sameer ne phone uthaate hi
Karan par apna saara gussa nikaal diya usko hairaani bhi ho raha tha ki Karan
ko uski shaadi ki baat kaise pata chala Karan Sameer ka aisa gussa dekh bicch
me bolne ki himmat nahi kar paaya jab Sameer chup ho gaya to Karan ne bola
Karan:- ek to galti teri hai upar se mujhpe hi chilla raha hai tu hi bataa tu meri
jagah me hota to kya karta kya tu shaadi karta Priya se jab tujhe pata chalta ki
Priya ki shaadi kisi aur se ho chuka hai bataa na abb chup kyu hai tu mera jagah
me hota to kya karta Karan ne ye baat gusse me dheemi aawaj me kaha tha wo
Sameer ka gussa pehle se hi jaanta tha wo apna galti maane se saaf inkaar kar
raha tha aur Sameer ko uski hi galti dikhaane ki koshish kar raha tha
Sameer:- tu mujhe bhi apna jaisa hi kameena samajhta hai kya agar main teri
jagah hota to bina kuch soche Priya se shaadi kar leta mujhe koi parwaah nahi
hota ki uski shaadi kisi se hua hai yaa nahi main bas usko khush dekhna chahta
wo agar mujhse shaadi karna chahti to kar leta lekin kya karu abhi tak kisi se
pyaar hua hi nahi aur tu ye baat chuupane ki koshish mat kar aur jaldi se bataa
tujhe hamaare shaadi ki baat kaise pata chala
Karan:- main hi nahi sabhi jaante hai teri shaadi ki baat ek baar apna facebook
kholke dekh aur tujhe khud hi pata chal jaayega tera shaadi ki photos kitna viral
ho gaya hai kitne congratulations ki comment bhi aa chuka hai tumhaare photos
me hamaare college ki students ki taraf se sabhi log shocked hai tumhaare iss
shaadi se aur sabse jyaada to main hun mujhe Priya se to iss baat ki
expectations nahi tha ki wo mujhe aise dhokha de degi aur tune bhi accha nahi
kiya mujhse mera pyaar cheen kar aur ye sab photos upload kiya hai Ramesh ne
Karan ki ye baat Sameer ke saath saath Priya bhi sun rahi thi wo abb rona band
karke ekdam chup ho gayi usko Karan ne thukraane ki wajah se pehle hi wo
bohat dukhi thi abb usko pata chal gaya ki uske sabhi dost iss shaadi ke baare
me jaante hai abb to wo aur bhi jyaaada dukhi ho gayi jaise hi Ramesh ki baat
Sameer ne suna wo fir se gusse me bola
Sameer:- what? Ramesh ne mujhe nahi pata tha ki wo kameena itna girr jaayega
usko to baad me dekhunga pehle tujhe main kuch bataana chahunga tu Priya ko
bilkul bhi deserve nahi karta accha hua jo teri assliyat uske saamne aa gaya ek
din tujhe iss pyaar ki matlab pata chalega lekin bohat der ho jaayegi ek baat aur
kehta hun kabhi bhi mere saamne mat aana warna single piece me waapas nahi
jaa paayega itna keh kar Sameer ne bina Karan ki baat sune phone kaat diya
kuch der pehle to wo bohat dukhi tha lekin abb wo dukhi hone ki jagah gusse me
tha fir bhi apne gussa ko control karte hue Priya ke pass chala gaya wo uske
kandhe par apna haath rakhkar usko kuch samjhaana chahta tha lekin Priya ne
uska haath jhatke se alag kar diya aur fir se rote hue boli
Priya:- kyu kiya tumne mere saath aisa Sameer tumne ye shaadi karke meri life
barbaad kar diya tumne mera pyaar cheen liya abb sab logo ko bhi pata chal
gaya hamaare iss shaadi ke baare me tum nahi jaante kitni beizzati hui hogui
meri sab mere hi baare me pata nahi kya kya soch rahe honge pehle to tumne
mera pyaar cheena aur abb izzat bhi lekin main ye sab tumse kyu keh rahi hun
tumhe to mazaa aa raha hoga na mera aisa haal dekh kar isse behtar to tum
mujhe maar hi daalte itna beizzat to mujhe nahi hona padta itna keh kar Priya jor
se rone lagi usko lag raha tha ki uska sabkuch cheen gaya hai aur abb wo
ekdam akeli hai pehle uske parents ne uski shaadi jabardasti karwa diya uske
baad Karan ne bhi saath chhod diya aur abb uska izzat bhi chala gaya wo soch
rahi thi uske jindagi kya se kya ho gaya kaha wo Karan ke saath aane waali
jindagi ki hasin sapne dekh rahi thi kaha abb usko kal kya hoga uska bhi pata
nahi Sameer ne jaise hi Priya ki baat sunna usko thoda hairaani thoda dukh aur
thoda gussa bhi aa raha tha usne hairaani se poocha
Sameer:- tumhe abhi bhi dukh ho raha hai ki Karan ne tumhaara saath chhod
diya kyu aise logo ke liye ro rahi ho jo tumse kabhi pyaar karta hi nahi tha pyaar
to wo hota hai jo har mushkil me saath deta hai lekin usne to tumhe akela iss
musibat me chhod kar chala gaya ek baar bhi tumhaara baat nahi suna mujhe to
tumhe dekh kar hairaani ho raha hai ki kaise tum aise kameene se pyaar karti ho
tum par yakin bhi nahi karta Sameer itna keh kar chup ho gaya usko abb Priya
pe thoda gussa bhi aane laga tha jaise hi wo chup ho gaya Priya ne bolna shuru
kar diya
Priya:- tum kabhi nahi samjhoge pyaar ko tumne kisi se kabhi pyaar kiya hai kya
agar karte to pata chalta pyaar ka matlab kya hai pyaar ke baare me do chaar
baatein koi bhi bol sakta hai lekin jo pyaar karte hai na usko hi iss ka matlab pata
hota hai pyaar me tadapna kisko kehte hai pyaar me judaai kisko kehte hai aur
bewafaai ka matlab kya hota hai sirf ushi ko pata chalta hai tum jaise ko nahi
jisko pyaar ka matlab bhi pata nahi aur lambe lambe bhaasan dete hai tumhe to
Shruti ka dil todna aata hai aur meri jindagi barbaad karna aata hai isse jyaada
kuch nahi kar sakte tum Priya ne rote rote ye baat kahi uski aawaj me uska dard
uska Sameer ke liye gussa aur nafrat saaf pata chal raha tha Sameer ko Priya ki
baat sun kar bohat bada jhatka laga uska gussa ek hi pal me gaayab ho gaya
aur apni galti ke liye usse aatmaglaani bhi hone laga wo Priya ko kuch nahi keh
paaaya aur jaldi se upar chhat ki taraf chala gaya Priya bhi bed pat lait kar jor se
rone lagi
In Shruti’s house
Shruti jab se Sameer ke ghar se aayi thi wo kuch bhi nahi boli thi bas apne rrom
me baith kar aansu baha rahi thi usko vishwaas hi nahi ho raha tha Sameer uske
saath aisa kar sakta hai aur usne Priya se shaadi kar liya hai tabhi uske mobile
me phone aata hai Shruti phone pick kar leti hai
Shruti:- hello
Ladki:- ye kya ho gaya Shruti Sameer aisa kaise kar sakta hai teri shaadi hone
waali thi na usse fir usne Priya se kyu shaadi kar liya pata hai tujhe unn dono ki
shaadi ki photos facebook par viral ho gaya hai dusri taraf se kisi ladki ne
shocked hokar phone kiya tha Shruti uski baat sun kar kuch der tak chup rahi aur
fir boli
Shruti:- pata hai Neha mujhe kuch der pehle hi dekha tha maine sab meri hi galti
hai
Neha:- teri galti kya tera aur Sameer ke bich koi ladaayi hui thi jis ke chalte usne
Priya se shaadi kar liya
Shruti:- nahi Priya mujhe shuru se hi pasand nahi thi maine bohat baar Sameer
ke saath milkar usko pareshan kiya tha bohat bhadkaaya tha Sameer ko Priya ke
baare me Sameer ki mind me uske liye negative images bhar diya tha lekin
mujhe nahi pata un dono ne shaadi kaise kar liya 2 months se Sameer gaayab
tha
Neha:- to abb tu kya karegi Sameer ne to Priya se shaadi kar liya mujhe to lagta
hai ki Priya ne tujhse badla lene ke liye Sameer se shaadi kar liya
Shruti:- nahi aisa nahi lagta mujhe Sameer ne to kaha tha ki usne jabardasti
Priya se shaadi kiya hai abhi to mujhe kuchh pata bahi chala hai lekin main
Sameer ko Priya se alag kar dungi wo sirf mera hai itna keh kar Shruti ne call
kaat diya wo abhi baat karne ki mood me nahi thi
In Sameer’s house
Sameer apne ghar ki chhat par pahunch chuka tha Priya ki baat sunkar usko
khud par hi gussa aa raha tha wo fir se har ek pal khud ko gira hua mehsoos
karne laga khud pe gussa utaarne ke liye usne do jordaar punch diwaal par maar
diya uski haatho se khoon behne laga fir bhi gussa kam na hua wo aur punch
maarne waala tha ki uske mobile pe phone ki aawaj aane laga usne bina number
dekhe phone pick kar liya dusre taraf se ek ladka ka aawaj aaya
Ladka:- congratulations yaar bina bataaye shaadi kar liya yaar koi baat nahi
shaadi ki bohat bohat badhaayi abb ye bata ki party kab dega jab dusri taraf ki
aawaj Sameer ne sunaa to usne phone ki screen ko dekha usko pata to chal
gaya tha ki phone par kaun hai fir bhi usne confirm kar liya screen me Mahesh
naam likha tha wo Mahesh se baat karne ki mood me bilkul nahi tha usne bas
itna hi kaha kal shaam 5:00 pm me bus stand ke pass waale park me aaja wahi
par deta hun tujhe party itna keh kar Sameer ne call kaat diya aur apne room me
waapas chala gaya Mahesh ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha ki Sameer ne
uske saath iss tarah baat kyu kiya aur itna jaldi call kyu kaat diya usne socha ki
kal wo Sameer se baat karke puchega (Mahesh Sameer ka best friend hai wo
dono school time se friend hai aur saath me bachelor level tak padhe the mba
padhte wakt dono alag alag college me chale gaye fir bhi unn dono ki doshti me
koi asar nahi pada hamesha ek dusre ke contact me rehte the holidays par
hamesha wo log saath me kahi ghumne jaate aur kuch time spend karte wo dono
ek dusre se koi bhi baat nahi chupaate hamesha ek dusreki madad karte hai yahi
wajah tha ki Sameer itne bade tension me hote hue bhi Mahesh ko abhi kuch
nahi bataaya agar Mahesh ki jagah koi aur hota to usse bhagwaan hi bachha
paate)
Sameer apne room me chala gaya usne dekha ki Priya bed par baithi thi uski
peeth Sameer ki taraf tha to usne Sameer ko aata hua nahi dekha Sameer bhi
bina kuch bole sofa par lait gaya aur sochne laga
Sameer:- (in his mind) abb kya karu abb to sabko pata chal gaya iss shaadi ke
baare me socha nahi tha ki Ramesh aisi harkat karega galti bhi meri hi hai pehle
iss problem se nikalta hun firr uss kameene ko dekh lunga usne saari photos
viral kar diya abb to Mahesh ko bhi pata chal gaya maine bhi usko keh diya ki kal
main usko party de dunga bas usse chhutkaara paane ke liye keh diya tha lekin
abb samajh me nahi aa raha kya karu usko mera chehra padh ke pata chal
jaayega ki main pareshaani hun kya usko sach bataana sahi hoga ki maine
majboori me shaadi kiya tha Sameer issi topic par kuch der sochta raha aur fir
uska jawaab mil gaya
Sameer:- (in his mind) han abhi usko bataana hi sahi hoga abhi sirf wahi hai jo
meri baat samajh paayega maa aur papa to mujhse bohat naaraj hai Priya to
pehle se hi gussa hai aur abb wo shaayad mujhse aur nafrat karne lagi hogi meri
baat bhi nahi suna han yahi thik rahega main usko kal sab kuch sach bata dunga
shaayad wo koi idea de mujhe jisse main apni galti sudhaar bhi saku aur sab
kuch thik ho jaaaye Sameer abhi yahi sab soch raha tha ki uske door par uski
maa aagayi unhone Sameer aur Priya dono se kaha
Mrs Sharma:- dinner ready hai tum log aa jao niche Mrs Sharma itna keh kar
chali gayi wo Sameer se kuch baat karna chahti thi lekin Priya ke saamne nahi
kar paayi aur unhe ye bhi samajh me nahi aaya ki Priya se kaise baat kare Mrs
Sharma ke jaane ke baad Priya mud kar neeche chalne lagi tabhi wo Sameer ko
sofa par laita hua dekh leti hai lekin wo kuch bhi react nahi karti aur niche chali
jaati hai Sameer bhi niche chala jaata hai wo dono hi bohat bhukhe the kal raat
se kuch bhi nahi khaaya tha subah me bhi bohat saari haalaton se guzarna pada
aur khaane ki baat unko yaad tak nahi raha abb dono niche pahunch jaate hai
Mrs Sharma dono ko dinner serve karti hai Sameer ke saamne Mr Sharma
baithe the aur wo dinner me busy the kabhi kabhi Sameer ko ek do baar gusse
se dekh lete lekin kuch nahi bole wo abhi khaane ke time me koi bhi hangama
nahi karna chahte the khaate wakt Priya thoda uneasy feel kar rahi thi wo iss
naye maahaul me adjust nahi ho paayi thi ye dekhte hue Mrs Sharma Priya se
kehti hai
Mrs Sharma:- beti koi pareshaani hai kya? Mrs Sharma ne Priya ko behad
apnatwa ke saath puccha tha Mrs Sharma ki mouh se apne liye beti shabd sunke
Priya ko thoda aascharya laga fir bhi wo normal hokar bas itna hi boli
Priya:- nahi
Mrs Sharma:- tumne kal raat se kuch nahi khaaya hai galti Sameer ki hai uski
galti ki sazaa khaane ko mat do abhi tum sirf khaane pe dhyaan do baad me jo
hoga uski tension mat lo abhi sirf khud pe dhyaan do baad me koi na koi raashta
nikal hi jaayega Mrs Sharma ne Priya ko samjhaate hue kaha Priya kuch nahi
boli aur dinner complete karke apne room me waapas chali gayi Sameer bhi
kuch der me dinner complete karke apne room me chala jaata hai room me
baithne ke kucch der baad Priya Sameer se kehti hai
Priya:- tumhaare maa aur papa to bohat acche insaan hain unn logo ne tumhe
jarur acche sanskaar diye honge unko bohat hi dukh ho raha hoga tumhaare
jaise beta paakar tum bohat lucky ho jo tumhe aise maa aur papa mile jo tum
deserve bhi nahi karte Priya ki iss baat ne Sameer ko bohat dard diya lekin wo
kuch nahi bola Sameer ka aisa chup rehna dekh Priya bhi kuch nahi boli bas
usse gusse se ghoorti rahi
Mrs Sharma apni kitchen ke sabhi kaam khatam karke apne room me pahunchi
aur bed par laite Mr Sharma se puncchi
Mrs Sharma:- aisa kab tak chalega hame kuch na kuch to karna hi chahiye
aakhir kab tak unhu aise dukhi hote hue dekhenge wo dono kuch nahi kar paa
rahe hai aise me hamaara farz banta hai ki unki pareshaani dur kare aap kab tak
aise Sameer se naraaj rahenge galti to har kisi se ho jaati hai Mrs Sharma ki
baat se unki chinta saaf mehsoos kiya jaa sakta tha wo jald se jald iss problem
ko solve karna cahahti thi unki baat sunne ke baad Mr Sharma bole
Mr Sharma:- tumhe ye koi choti galti lagti hai jo itni jaldi sab kuch thik ho jaayega
galti Sameer ki hai usse hi sab kuch theek karna hoga uski har chhoti chhoti galti
ko najar andaaz karne ka natija hai ye jo aaj usne itni badi galti kiya hai Priya ki
jindagi se khilwaad kiya hai usne abb jo karna hai usse hi karna hoga tab jaake
usko pata chalega ki kya galti kiya hai usne
Mrs Sharma:- tab tak kya ham unn dono ko aise hi tadapte hue dekhenge maine
dekha hai Sameer ko wo kaise pachhta raha hai maa hun main uski mujhe bohat
dukh hota hai usko aise dekhte hue uske saath baat bhi nahi kiya hai kabhi aapki
naarajgi dekhte hue to kabhi Priya ki haalat dekhte hue main acche se samajh
sakti hun uss par kya beet raha hoga jab koi uska saath nahi de raha kahi aisa
naa ho ki wo koi galat kadam uthaa le meri aapse bas ek hi request hai please
iss baar iss samasya ko thik kar dijiye nahi dekh sakti main unn dono ko aise
tadapte hue Mrs Sharma ne ye baat rote hue kaha unko bohat dukh ho raha tha
Sameer aur Priya ki haalat dekhte hue Mrs Sharma ko aise rote dekh Mr Sharma
bhi pighal gaye abb unhone bhi halke aawaj me baat karna shuru kiya
Mr Sharma:- to tumhi bataao main kya karu main Sameer se issliye naaraj hun
kyu ki usne Priya ki life ke saath khilwaad kiya hai abb main kaise Sameer ki help
kar sakta hun agar maine Sameer ka saath diya to Priya ka gunehgaar ban
jaaunga aur Priya ki bhi kaise help kar sakta hun nahi main usko Sameer se
divorce lene ki salaah de sakta hun aur naahi Sameer ke saath rehne ko keh
sakta hun main bhi majboor hun kishi ka paksh nahi le sakta issliye main iss
maamle me koi dakhal andaazi nahi kar sakta jo bhi karna hai abb unn dono ko
hi karna hai itna keh kar Mr Sharma chup ho jaati hai Mrs Sharma bhi unki haalat
samajh jaati hai aur kuch nahi kehti unko bas Sameer aur Priya ki bhavisya ko
lekar chinta thi
Udhar Priya aur Sameer chup chaap bina koi baat kiye so jaate hai abb jaake
unn dono ko aaj ki tanaaw bhara din se chhutkaara mila tha aur uthne ke baad fir
se aise hi tanaaw bhare din se gujarna tha dono hi raat me neend ki aagosh me
chale gaye yahi wo pal tha jab dono thoda sukoon mehsoos kar rahe the iss wakt
dono bohat thakaan ki kaaran gehre neend me soo rahe the jab subah ke 7:00
am baja to Priya utth gayi usne idhar udhar dekha to Sameer sofe par gehri
neend me so raha tha picchle raat bhi nahi sone ke kaaran abhi bhi uska neend
pura nahi hua tha Sameer ko aise sote dekh Priya gusse me badbadaati hai
Priya:- meri life barbaaad karke kaise chhain se so raha hai koi kaise itna gir
sakta hai jo dusro ki life ke saath majaak karke apni khushi manaate hai itna
kehkar Priya apna mobile on karti hai gallery me jaake kuch photos dekhti hai
apni maa aur papa ki photos ko dekhte hue usske chehre me nafrat ki bhaaw
aane lagte hai jabki Karan aur uska photos dekhkar uski aankhon se aansu girne
lagte hai usko abhi tak vishwaas nahi tha ki Karan usko iss tarah se chhod sakta
hai wo to abhi tak yahi maan rahi thi ki Karan usse abhi naaraj hai aur jald hi wo
maan jaayega mobile me dekhkar Karan ke saath bitaaye pal ko yaad karte hue
uski aankhon se aansu aur jyaada girne lagta hai
Subah ka 9:00 baj raha tha tab jaake Sameer ki neend khulta hai wo apne
aankhon ko malte hue utthta hai saamne jab Priya ko rote hue dekhta hai tab
usko fir se apni galti ka ehsaas hota hai wo bas Priya se najar hatate hue ceiling
ki taraf dekhne lagta hai unn dono ke bich koi baatcheet nahi hota hai Priya ki
aankho se aansu gir rahe the to Sameer ki aankho me apni galti ka paschatap
najar aa raha tha
aise hi dono kuch der me Mrs Sharma ki bulaane par lunch ke liye kitchen ki taraf
nikal jaate hai lunch karte samay bhi kitchen me khaamoshi tha koi kisi se kuch
nahi bol raha tha aur bolne ki himmat bhi nahi tha issi tarah Sameer aur Priya
apne room me waapas aa jaate hai Priya table me pade Sameer ki books
uthaakar padhne lagti han (Sameer aur Priya dono hi MBA ke students the
issliye subject bhi dono ki same tha) Priya bas apne gam ko bhulaane aur time
pass ke liye book kholke baithi thi fir bhi wo apni aur Sameer ki shaadi waali baat
ko yaad karne se nahi rok paati udhar Sameer ko bhi samajh me nahi aa raha
tha ki kya karna chahiye wo bhi Priya ki najar se bachne ke liye youtube me se
kuch movies search karke airphone laga kar movie me busy ho jaata hai uska
bhi dhyaan movie par nahi tha baar baar ghadi me 4:00pm ka intejaar kar raha
tha taaki wo Mahesh ke saath mile aur usko apni iss haalat ke baare me bataye
bohat mushkil ki intejaar ke baad jab 4:00 baja to Sameer bina der kiye nikal
gaya Mahesh se milne apne bataaye hue jagah par traffic ki kuch rukaawat ki
baawjood wo apne bataye hue time 5: 00pm par park me pahunch gaya usne
waha dekha ki Mahesh pehle se hi uska intejaar kar raha tha Mahesh bhi
Sameer ko dekh kar jaldi se uske pass jaata hai aur kehta hai
Mahesh:- congratulations yaar shaadi ki bohat badhaiyan tera hi intejaar kar raha
tha yaar intejaar hi nahi ho raha tha tujhse milne ke liye chal uss bench par
baithte hai itna keh kar dono bench tak chale jaate hai Sameer khaamosh tha aur
Mahesh uske saath baat kiye jaa raha tha
Mahesh:- itni bhi kya jaldi tha yaar shaadi ke liye jo mujhe bataaye bina shaadi
kar liya kahi bhabhi ko bhaga ke to nahi laaya Mahesh itna kehkar jor jor se
hasne lagta hai Sameer usko gusse se dekhta hai tab wo chup hota hai Mahesh
ko samajh hi nahi aa raha tha ki Sameer itna khaamosh aur gussa kyu hai fir bhi
wo apna majaak jaari rakhte hue kehta hai
Mahesh:- kya hua bhai itna gussa kyu ho raha hai kahi bhabhi se peet kar to nahi
aaya yaar ye acchi baat nahi hai shaadi hue ek hi din me bhabhi se peet jaana
(Sameer ki haath ki plastic ko dekhte hue) ye plastic me kya hai Sameer ko
Mahesh ki baat par gussa to bohat aata hai lekin wo kuch bolta nahi bas apni
haath me jo plastic tha usko hataate hueek beer ki bottle nikaalta hai
Sameer:- tune kal mujhse party maanga tha na ye pakad beer ki bottle yahi hai
tere liye party Sameer ne halke gusse me ye jawwb diya Mahesh ki iss tarah
majaak karne se wo pak gaya tha
Mahesh:- abe ye kya majaak kar raha hai teri shaadi hui hai bhai koi majaak nahi
party to tujhe mujhe 5 Star hotel me dena padega
Sameer:- limited time offer hai baad me ye bhi nahi milega aur abb tu ye mat
kehna ki tu beer nahi peeta Sameer ne iss tarah se kaha jaise usko baat karne
ka mann nahi hai
Mahesh:- arre peeta hun yaar lekin sirf parties me yaa fir koi occasion me aise
road par sharaabi ki tarah nahi
Sameer:- majaaak kar raha tha ye beer main apne liye laaya hun
Mahesh:- lekin tu to kabhi nahi peeta hai Mahesh kuch samajh paata isse pehle
hi Sameer ne beer ki bottle open karke paani ki tarah beer ko peena shuru kar
diya
Mahesh:- kya kar raha hai Sameer tu paagal to nahi ho gaya tujhe aadat nahi hai
inn sab ki tujhe chadh jaayega yaar tu to kabhi nahi peeta tha fir aaj kyu sharabi
ki tarah pee raha hai Mahesh Sameer ko samjha raha tha lekin Sameer bina koi
baat sune veer ko paani ki tarah pee raha tha Mahesh samjhaate hue thak gaya
aur ek thappad Sameer ke gaal par laga diya Sameer ki haath se bottle gir jaata
hai aur usko hosh aata hai aur rote hue kehta hai
Sameer:- main beer pehle nahi peeta tha lekin main pehle apni najaron me to
nahi gira thaa na Sameer ye keh kar aur teh rone laga uski aawaj se paschataap
saaf mehsus kiya jaa sakta tha
Mahesh:- apni hi najaron me gir gaya kya keh raha hai jara khul ke bata yaar aur
tu ye paagalpn jaisi harkat kyu kar raha hai Mahesh ko Sameer ki aisi haalat
dekh kar bohat aascharya ho raha tha bohat saal ho gaya jab une Sameer ko
dukhi hote hue dekha tha usko samajh hi nahi aa raha tha ki kya wajah ho sakta
hai hamesha khush rehne waale Sameer ko aise rona pad raha hai
Flashback and Present
Sameer:- meri haalat aise ho gaya hai ki chhain se jee bhi nahi paa raha hun aur
mar bhi nahi paa raha hun picchle 1 mahino se jindagi me bohat kuch sehna pad
raha hai yaar mujhe nahi pata tha meri ek bhool mujhe aisi din dikhaayega
majburi me Priya se shaadi karna pada maine apne saath saath uski bhi jindagi
barbaad kar diya Priya to pehle se hi mujhse nafrat karti thi abb iss shaadi se to
aur bhi nafrat karne lagi hai main uska gussa sehan nahi kar paa raha hun lekin
majboori hai kuch kar bhi nahi paa raha hun khud ki najaro me gir gaya hun jab
maa aur papa ko bataya to dono mujhse bohat naraaj ho gaye papa to itne
jyaada naraaj ho gaye ki unhone mujhe bol diya ki jo maine kiya usse behtar
main mar jaata aur maa bhi itni naraaj hai ki unhone mujhse ek shabd tak nahi
bola bohat toot chuka hun main yaar andar se abb mujhme taakat nahi bachi ki
main inn paristhitiyon ka saamna kar sakoo ab aage kya hoga ye bhi nahi pata
sochne par bhi dar lag raha hai ek do baar to socha ki suicide kar loo aise ghut
ghut kar jeene se to mar jaana hi behtar hai fir agle pal socha ki suicide to darpok
log karte hai aur main apni galti se bachne ke liye apne maa papa aur Priya ko
iss haalat me nahi chhod sakta tu hi bata kya karu main naa jee paa raha hun
aur na hi mar paa raha hun kabhi kabhi to aankho me aansu aa jaate hai lekin
sabhi ke saamne ro nahi paata khud hi musibat ki gaddha khod liya Sameer ne
apne dil ki dard Mahesh ke saamne rakh diya uski aankho me aansu aur dil me
dard dekh kar Mahesh ko bohat buraa lag raha tha usko samajh me nahi aa raha
tha ki kya jawab dena chahiye wo to puri baat bhi nahi jaanta tha ki Sameer ki
aakhir aisi kya majboori tha jiske liye usse Priya se shaadi karna pada usne
Sameer ko samjhaate hue kaha
Mahesh:- bhai please aise udaas mat ho kuch na kuch raasta nikal hi jaayega
yahi wakt hai khud ko majboot bana kar rakhne ki aur mushibaton ki saamna
karne ki bhai abb galti tune kiya hai to usse sudhaarna bhi tujhe hi hai maine aaj
tak jis Sameer ko dekha hai wo Sameer itna kamjor nahi hai yaar wo har
mushibaton ka saamna kar sakta hai bas yaar tu khud par vishwaas rakh aur jo
bhi hua usko bhul jaa aur aage kya karna hai uss par dhyaan de Mahesh ne
Sameer ko samjha kar uske dil ko thoda halka kar diya Sameer ko bhi lagne laga
ki koi hai jo uski baaton ko samajh sakta hai wo abb rona band kar chuka tha
lekin fir bhi soch raha tha ki aage kya karna hai kaise khud ko aur Priya ko iss
mussibat se nikaale Sameer ki chehre me aayi kuch raahat ki lakeer ko dekh kar
Mahesh bhi khush ho jaata hai aur usne socha ki yahi sahi wakt hai Sameer se
sach jaane ka
Mahesh:- mujhe samajh me nahi aa raha ki tujhse kya galti hua hai jitna main
jaanta hun tu hamesha soch samajhkar faisla leta hai aur tu kisi ke saath galat
bhi nahi karta to tu kaise koi majburi me fass gaya aur Priya ki jindagi barbaad
karne ke liye khud ko jimmedaar maanta hai please Sameer mujhe sab kuch
bata yaar main sab jaana chahta hun ki tune aakhir itna bada kadam kyu
uthaaya Mahesh ne Sameer se bataane ke liye request kiya Sameer soch raha
tha ki usko Mahesh ko bataana chahiye ya nahi Sameer ko aisa shaant dekh
Mahesh ne fir se usko request kiya
Mahesh:- please yaar bata de main jaanta hun tune koi galti nahi kiya hoga itna
vishwaas hai mujhe tujh par jarur teri koi majburi rahi hogi please bata yaar ho
sakta hai meai tera kuch help kar paau Mahesh ki baat sun kar Sameer ki hontho
par ek halka sa muskaan aa gaya aur usne kaha
Sameer:- nahi yaar tu mera help karna chahta hai lekin nahi kar paayega yaar
yaar bas tujhe hi nahi mujhe bhi apne upar vishwaas tha ki main kuch galat kaam
nahi kar paaunga lekin aisi galti kar baitha jo mujhe jindagi bhar jhelna hoga han
kuch majboori bhi thi lekin main apni galti ko chupa nahi sakta tu jaana chahta
hai na maine aisa kyu kiya to chal main tujhe kahaani bataata hun
Flashback: 2 years ago
tujhe yaad hai na jab hamne BBA complete karne ke baad maine alag college
me admission liya tha mere saath saath Rajesh bhi mera hi college me join kiya
tha bas wahi tha jisse main college me jaanta tha kisi se koi jaan pehchaan nahi
tha luckily ham dono same class me the dhire dhire hamaare friends banne lage
lekin main aur Rajesh kuch jyaada hi close the ham log same time college aate
canteen me bhi same time jaate the aur ghar bhi saath hi jaate the itna jaan le ki
teri kami ko Rajesh hi pura karta tha kabhi bore nahi hone diya kameene ne aise
hi ek din ham subah college saath aa rahe the maine jab bike park kiya to mera
mobile me ek dost ka call aaya maine Rajesh ko bhej diya aur phone me baat
karne laga phone uski papa ka tha main Rajesh ko bulaane laga lekin wo chala
gaya aur maine hi call uthaa liya
Sameer:- hello uncle aapne iss wakt call kiya koi kaam hai kya?
Rajesh’s dad:- han beta darasal baat ye hai ki mujhe Rajesh se kuch baat karni
hai uska mobile off aa raa raha hai to tumhaare mobile par call kar liya beta kya
tum Rajesh se mera baat kara sakte ho?
Sameer:- han uncle aap call ko hold me rakhiye main phone Rajesh ko deta hun
iske baad main daud kar Rajesh ko phone dene chala gaya jab parking se nikal
kar class ki taraf gaya to dekha Rajesh gate par hi mera wait kar raha tha main
gate ke pass pahuncha hi tha ki main apne speed par control nahi kar paaya aur
ek ladki se takra gaya main nichhe gir gaya aur wo ladki bhi mere side me gir
gayi main Rajesh ko mobile dene ki jaldi me tha iss liye uss ladki ka parwaah na
karte hue uttha aur Rajesh ko kaha
Sameer:- ye le tera papa ka phone hai baat kar le Rajesh ne phone le liya aur
side me chala gaya baat karne tab tak wo ladki bhi utth chuki thi aur gusse me
meri taraf aayi aur mujhe thappad maarne hi waali thi ki maine usska haath rok
liya aur kaha
Sameer:- sorry main jaldbaazi me thaa iss liye aapse takra gaya isske liye main
aapse maandi maangta hun lekin main ye bardaasht nahi kar paaunga ki koi
mujhpar haath uthaaye maine suru ke lines politely kaha aur baaki ke line gusse
me meri aisi harkat se wo ladki aur bhi gussa ho gayi aur boli
Ladki:- ye kya badtameezi hai haath chhodo mera maine bhi uska haath chhod
diya aur class ki taraf jaane laga lekin uss ladki ki aawaj ne rok diya
Ladki:- tumhaare pass aankhe nahi hai kya jo bina dekhe chalte ho aur kissi se
bhi takra jaate ho ye baat uss ladki ne gusse me kaha tha maine bhi thoda gussa
me uski baato ka jawaab diya
Sameer:- arre yaaar tumhaara problem kya hai main sorry bol chuka hun naa
abb tum apni bakwaas dialogue maarna chhodo aur mujhe class me jaane do
meri baato se uss ladki ka gussa aur bhi badh gaya aur fir wo boli
Ladki:- ek to khud galti karta hai aur upar se mujhse hi bahas kar raha hai ruk
tujhe to main abhi majaa chakhaati hun
Sameer:- main abhi padhne aaya hun koi majaa karne nahi issliye majaa
chakhaane ki jarurat nahi aur dusri baat mujhse jab baat karna hai to izzat se
baat karo iss tarike se koi mujhse baat kare ye mujhe pasand nahi give respect
and take respect wo ladki kuch kehti usse pehle picche se uski dost aa gayi aur
uski dost ne usse kaha
Ladki 2:- kya kar rahi hai Priya aise ladko ke munhh nahi lagte chal tu class me
itna keh kar wo dusri ladki Priya ko class me le gayi mujhe uski baaton se gussa
aa raha tha lein idhar udhar dekha to kuch students jamaa ho gaye the tamasha
dekhne issliye main kuch nahi bola aur class ki taraf chala gaya Rajesh bhi mere
pass aaya aur usne mujhse kaha
Rajesh:- main sab kuch dekh chuka hun aur mujhe yakin nahi ho raha Sameer tu
kaise koi ladki se iss tarah baat kar sakta hai galti bhi to teri hi thi
Sameer:- maanta hun galti mera tha aur main usko sorry bolne hi waala tha lekin
wo mujh par haath uthaane lagi aur mujhe bhi gussa aa gaya aur uski baaton ko
uske hi tarike se jawaab de diya aur ham dono bhi class me chale gaye issi tarah
suruwaat hui mera aur Priya ki nafrat ki kahaani uske baad ham dono class me
gaye class me main aur Rajesh saath hi baithe the mera mood off ho gaya tha
Priya se uss ladayi ke baad bohat dino baad kaha suni hui yhi meri kisi se mood
off hone ke baad main lecture par dhyaan nahi de paa raha tha iss baat ko
teacher Mr Khanna ne notice kar liya tha aur apna lecture dena band karke mere
pass aa gaye aur kaha
Mr Khanna:- hey you stand up Mr Khanna ne thoda gussa ke saath kahe the
mujhe kuch bhi samajh me nahi aaya ki sir ki aise kehne ki picche kya wajah thi
Sameer:- yes sir aapne mujhe kyu uthaya koi galti hui kya mujhse
Mr Khanna:- tumhaara dhyaan kaha hai main tabse tum logo ko lecture de raha
hun aur tum to kisi aur duniya me kho gaye ho padhne ka mann nahi hai kya
Sameer:- nahi sir aisi baat nahi hai actuallly aaj mera mood off ho gaya tha
issliye concentrate nahi kar paa raha tha
Mr Khanna:- bas tum jaise students ko koi bahana chahiye lecture se bachne ka
mujhe to ye baat samajh me nahi aa raha ki tum jaise students college aate hi
kyu hai jab padhne ka mann hi nahi hai apne parents ki mehnat ko barbaad
karne ke liye tum log college aate ho masti karne ke liye kam se kam unki
mehnat ki to izzat karo jo tumpar aas laga kar baithe hai ki tum padh likh ke bada
insaan banoge Mr Khanna to non stop bole jaa rahe the aage bhi bohat kuch
bolne waale the lekin mujhe unki baaton se bohat gussa aaya aur maine unki
baat ko rokte hue kaha
Sameer:- sir please kuch der ke liye chup ho jaayiye aur meri baat bhi suniye
aap mere baare me galat samajh rahe hai main padhne me accha student hun
aur aaj mood thoda off hai issliye concentrate nahi kar paa raha hun main sir ko
samjhaane ki bohat koshish kar raha tha lekin unhone apne mind me mere liye
negative image bana chuke the aur meri baato ko rokte hue kaha
Mr Khanna:- oh tum accha student ho jara apna bba ka percentage to bataao
isse pata chal jaayega ki tum kaisa students ho sir itna keh kar chup ho gaye
main kuch bolne hi waala tha ki picche se ek ladki ki aawaj aayi just pass hua
hoga aur abb badi badi baat kar raha hai jaise hi maine ye suna mujhe bohat
gussa aaya aur jab picche mudke dekha to gussa aur badh gaya wo Priya thi
main shocked ho gaya usko apne hi class me dekh ke wo mere saamne se hi
class me gayi thi lekin main gusse me usse nahi dekh paaya aur uss wakt kuch
sochne ki haalat me nahi tha ek to mera mood aaj uski wajah se bigda tha aur sir
se bhi bohat baat sun liya tha upar se ye mujhe aur chiddha rahi thi gussa to itna
aaya ki main ye bhi bhul gaya ki main classroom me hun aur bina parwah kiye
Priya se gusse se kahaa
Sameer:- tumhaara problem kya hai? mera marks kitna hai isse tumhe kya lena
dena main accha hun ya fir bigda hua hun ye tumhaari business nahi hai tum
apni kaam pe dhyaan do samjhi agli baar fir se mere baare me kuch kaha no to
accha nahi hoga aur tum hamaare baaton me apna naak kyu ghused rahi ho
agar kuch der pehle ki galti ke liye ye sab kar rahi ho to please maaf kardo maine
uss wakt galti kiya tha abb khush abb mera dimaag kabhi kharaab mat karna
gusse me pata nahi kya kya bol diya maine main to aur kehna chahta tha lekin
sir ki gusse bhari aawaj ne mujhe rok diya
Mr Khanna:- bas bohat ho gaya tumhe ladki se baat karne ki tameej nahi hai kya
yahi sanskaar mila hai tumhe ghar se? abb tak to main sir se politely baat kar
raha tha lekin jab sanskaar ki baat inhone kaha to mujhe bhi gussa aa gaya fir
bhi gusse ko dabaate hue bola
Sameer:- sir please ye ghar se kaisi sanskaar milli hai iss baat pe mat jaaiye fir
bhi agar aap jaana hi chahte hai to bata deta hun ki mujhe acche sanskaar mile
hai issi acchi sanskaar ki wajah se main abb tak politely aap se baat kar raha
hun issi acchi sanskaar ki wajah se itna gussa me hone ke baawjood uss ladki se
acche se baat kar raha hun agar meri jagah koi aur hota to uske mouh se pakka
do chaar gaaliyan nikal gayi hoti sir main abhi jyaada baat karna nahi chahta
mood off hai kahi mera sabra ka baandh na toot jaaye aur aapko meri baat acchi
na lage fir waha par kuch der ke liye sab chup ho jaate hai sir aur Priya dono
meri harkat ki wajah se gussa the iss khaamoshi ko todte hue maine kaha
Sameer:- sir aap mera BBA ka percentage jaana chahte the na agar main aapko
bata du to aapko vishwaas nahi hoga issliye please meri admission form me
check kijiye aapko pata chal jaayega sorry sir naam bataana to bhul gaya my
name is Sameer Sharma iss name ka form dhund lijiyega aapko mera marks
pata chal jaayega aur sir main stufy me weak nahi hun mere papa mujhe unki hi
tarah ek successful Dr banana chahte the aur maine mbbs me free scholarship
me apna naam bhi nikaala tha lekin mujhe medical line me koi interest nahi tha
iss liye dosto ke saath bba join kar liya meri baato ne sir ko aur gussa dilaa diya
unhone gusse me kaha
Mr Khanna:- teacher se kaise baat karte hai ye tumhe nahi pataa aaj college
band hone ke baad mujhe office me milna bohat bol rahe ho na abb office me
Principal sir ke saamne bhi aise hi bolna
Sameer:- sir mujhe koi parwaah nahi maine jo kiya sahi kiya hai sir main aapse
izzat se hi baat kar raha hun bas apni aur se kuch safaayi bhi de raha hun waise
to main sabhi ka respect karta hun but self respect bhi koi cheej hoti hai aur jab
meri galti nahi hota hai aur koi mujhe kuch bolta hai to main control nahi karta
abhi bilkul aisa hi condition hai pata nahi mujhe uss wakt itna josh kaha se aa
gaya tha mujhe to ye bhi nahi pata tha ki main kaha hun aur kisse baat kar raha
hun mujhe laga ki main kisi ko jawaab de raha hun jisne mera insult kiya hai agar
uss wakt gusse me na hota to shaayad sir ke saath aise baat nahi karta sir to
meri aisi agression dekh kar shocked the aur saath me bohat gussa bhi wo kuch
bolte isse pehle lecture off ho gayi wo mujhe ghoorte hue class se nikal gaye jab
sir class se nikal gaye to maine chaaro taraf dekha sabhi mujhe hi shocked ho
kar ghoor rahe the jab maine sabhi ki aankho me aankhe daali to unhone apni
najare hata li siwa Priya aur ek ladke ko chhod kar Priya ka to samajh me aa
raha tha ki wo gussa hai lekin wo ladka bhi mujhe gussa se dekh raha tha maine
ek do baar to ignore kiya lekin fir bhi wo mujhe gusse se ghoore jaa raha tha jab
mujhe control nahi hua to main bhi usse gusse se ghoorne laga fir bhi wo apni
najre nahi hata raha tha kuch der me next lecture shuru ho gayi maine socha ki
iss ladke ko baad me dekh lunga issi tarah lunch break ho gaya Mr Khanna ke
baad kisi bhi teacher ne mujhse kuch nahi poocha jab lunch hua to sabhi
students lunch ke liye nikal gye Priya uski dost aur uss ladke ko chhod kar wo log
meri hi taraf aa rahe the Priya mere pass aa gayi aur gusse me boli
Priya:- tumne sabke saamne mera insult kiya main tumhe nahi chhodungi gussa
to mujhe bhi aa raha tha maine bhi uske hi tarike se jawaab diya
Sameer:- pehle pakdogi tab chhodogi na main tumhe pakadne hi nahi dunga
meri baat sun kar Rajesh hasne laga main to gusse me baat kar raha tha lekin
usko comedy lag raha tha Priya to aur bhi jyada gussa ho gayi aur wo kuch
kehne hi waali thi ki uski dost ne usko bola
Ladki:- chal Priya aise ladko se baat karke kuch faaida nahi kicchad pe patthar
fenkegi to wo ham par hi lagegi
Priya:- aise kaise chhod du Divya isko isne pure class me meri insult kiya hai
mujhe Divya ki baaton se pehle se hi gussa aa raha tha jaise hi Priya ka bolna
khattam ho gaya maine Divya se kaha
Sameer:- agar kicchad tum par padega to bhi koi fark nahi padega kyuki tum
pehle se hi kicchad jaisi hi ho aaj pata nahi kya ho gaya tha mujhe lagatar bahas
kiye jaa raha tha shaayad jindagi me pehli baar itna gussa aaya tha warna aaj
tak kisi bhi ladki ke saath koi ladayi nahi kiya tha aaj to Priya aur Divya dono ko
jawaab de raha tha abhi main yahi soch raha tha ki wo ladka bhi maidaan par aa
gaya aur mujhse kaha
Ladka:- tu ladkiyon ko jawab dekar khud ko kya samajh raha hai dam hai to
mujhse baat kar wo bhi bohat gusse me tha lekin mujhe samajh me nahi aa raha
tha ki wo aise overreact kyu kar raha hai uska to iss maamle me koi lena dena
nahi tha
Sameer:- to main kaha picche hat raha hun aur tujhse baat karne me koi dam
nahi chahiye tu to comedian jaisa dikh raha hai aur teri dialogue bhi comedy jaisa
hi lag raha hai maine uska majaak udaate hue kaha Rajesh hamaari baaton ko
majaa lekar hanss raha tha udhar Priya aur Divya gusse me mujhe ghoore jaa
rahi thi ladka ko pata nahi kya hua wo gusse me aage badhkar mujhe thappad
maarne laga maine uski haath pakad liya
Ladka:- mujhe comedian bol raha hai dikhaata hun main tujhe main kya cheej
hun Karan ko comedian bol raha hai usski baato se mujhe gussa hone ke
baawjood hanssi aa gaya aur main hanste hue bola
Sameer:- abe pehle haath to chhuda le aur baad me dikhaana tu kya cheej hai
iske baad maine Karan ki haath ko ulta ghuma diya aur wo dard me chillane laga
Karan:- haath chhod mera dard ho raha hai Karan ki aawaj se hi uska dard ka
pata chal raha tha lekin mujhe uss par daya nahi aa raha tha maine uske haath
ko aur ghuma diya aur kaha
Sameer:- abb kya hua tabhi to bohat badi badi baatein kar raha tha ki tu kaisa
cheej hai tu ek darpok aur comedian hai jo baate bohat karta hai lekin kar kuch
nahi sakta abb teri comedy aur himmat khattam ho gaya ho to hame jaane de
bohat jor ki bhukh lagi hai aur gusse me meri bhookh aur bhi badh jaata hai itna
keh kar main aur Rajesh canteen ki taraf jaane lage lekin wo Karan fir tapak
pada wo daud kar gate ki taraf aaya aur hamaara raasta rok liya mujhe to
aascharya ho raha tha ki abb ye ladka aur kitna maar khaana chahta hai
Sameer:- dekh aaj mera mood accha nahi hai kahi aisa naa ho ki aaj tu mere
haatho se acche se peet jaaye abhi warning de raha hun lekin Karan ko to meri
baat samajh me hi nahi aa raha tha main jaise hi chup hua wo meri taraf badhke
fir se thappad maarne laga fir maine uski haath pakad liya aur kaha
Sameer:- abhi tak to main kuch nahi kar raha tha lekin abb bardasht ke baahar
ho raha hai tu mujhe kya samajh raha hai ki tu mujhe maarega aur main tujhe
aise hi chhod dunga dekh bacche mujhe meri self respect se bohat pyaar hai aur
tujh jaisa kutta mujh par haath uthaaye aur main chup rahu aisa soch raha hai
saaale tujhe teri aukaat dikhaana padega itna keh kar maine uske chehre pe ek
thappad laga diya sabhi log shocked ho gaye aur mujhe ghoor rahe the thappad
maarne ke baad maine kaha
Sameer:- pehle hi warning diya tha aur main jo bolta hun wo karke dikhaata hun
samjha comedian abb aur maar khaane ka mann hai to aaja aaj hi tujhe peet kar
tera pet bhar deta hun aur tujhe kabhi maar khaane ka mann nahi hoga itna keh
kar main Karan ko gusse se dekhne laga wo abb kuch bolne ki haalat me nahi
tha wo gusse se gaal par haath rakh kar nicche dekh raha tha usko kuch na bolta
dekh maine gusse se Priya aur Divya ko dekha wo dono chup thi aur shaayad
thoda dar bhi gayi thi iske baad main aur Rajesh canteen me chale gaye hamare
jaane ke baad Priya ne picche se Karan ki kandho par haath rakh kar kaha
Priya:- thanks Karan tumne mera saath diya lekin kya jarurat tha tumhe aise
ladko ke saath fighting karne ki aise ladko ke mouh nahi lagna chahiye Karan ka
saara gussa Priya ki baaton se gaayab ho gaya aur wo bhi muskuraane ki
koshish karte hue bola
Karan:- arre isme thanks ki kya jarurat hai ye to mera farz tha main iss Sameer
ko acche se jaanta hun paise ki ghamand me apna manmaani karta rehta hai
dekha naa aaj tumne sir se kaise baat kar raha tha aur tumse bhi kitna
badtameezi kar raha tha main isko nahi chhodunga isko sabak sikhaa kar
rahunga aur isko iski aukaat dikhaa kar rahunga dekhna ek din ye khud tumhe
aakar sorry bolega so please dont say thank you ye ek accha insaan hone ka
farz hai ki jab koi galat kar raha hai to uska birodh karu Karan ne mauke ka
faaida uthaate hue Priya ko Sameer ke khilaaf bhadka diya aur uski najaro me
khud ko accha saabit kar liya
Priya:- sach me tum bohat acche ho Karan sirf tumne hi mera saath diya ye
Sameer sacch me badtameez ladka hai isko to sabak sikhaana hi chahiye and
sorry Karan tumhe meri wajah se maar khaani padi Karan ko Priya ki maar
khaane waali baat bilkul bhi pasand nahi aaya aur usko apna apmaan mehsoos
ho raha tha fir bhi khud ko sambhaalte hue usne kaha
Karan:- maine aapse kaha na ki please mujhe thanks aur sorry mat kahiye ye to
mera farz tha aap iss baat ki tension mat lijiye dekhna ek din main Sameer ko
sabak sikhaa kar hi rahunga
Priya:- ok Karan abb hum jaate hai lunch ke liye bohat time lost ho gaya hai uss
Sameer ki wajah se baad me fir baat karenge itna keh kar Priya muskuraati hui
canteen ki taraf jaane lagi Karan usko aisa hansta dekh khush ho gaya aur apna
seat pe jaakar baith gaya khushi me usne aaj lunch bhi nahi kiya canteen me
pahunchne ke baad bhi mera gussa kam nahi hua tha puri life me pehli baar itna
guss aa raha tha wo bhi uss Karan par Rajesh ne ham dono ke liye naashta
order kar diya nashta karte wakt main utth kar do pepsi ki bottle le aaya Rajesh
ne mujhe jab pepsi laate hue dekha to mujhse bola
Rajesh:- tujhe pata hai na main cold drinks nahi peeta to fir kyu laaya?
Sameer:- abe tere liye nahi laaya hun dono bottle mere liye hi hai aaj dimaag
kharaab kar diya iss Priya aur Karan ne thoda refresh hona chahta hun issliye do
bottle le aaya acche se chill hona hai fir baad me Principal sir ki office me jaake
baat bhi karna hai
Rajesh:- ek baat pucchu tujhse gussa to nahi hoga naa
Sameer:- dekh yaar abhi main bohat gusse me hun tu baaton me suspence rakh
kar mujhe aur gussa mat dila jo bhi puchna hai jaldi se puchh
Rajesh:- yaar jab se tere saath dosti kiya hai pehli baar tujhe gussa hote hue
dekha hai hamesha tu kitna khush rehta hai aur aaj tu itni chhoti baaton ke liye
itna gussa ho gaya ye baat mujhe samajh me nahi aaya yaar gusse me hone ke
baad bhi maine Rajesh ki baat ko thoda mushkuraa kar jawaab diya
Sameer:- dekh bhai main badi se badi baat ko bhi ignore kar sakta hun lekin jab
baat self respect ki hai to main bardaasht nahi kar paata jab sir mere baare me
ulta sidha bol rahe the to bhi main unse acche se baat kar raha tha lekin apni
taraf se safaayi bhi de raha tha main unka izzat bhi kar raha tha aur apna self
respect ka bhi khayaal rakh raha tha abb main chup chaap unki har baat to nahi
sun sakta issliye jarurat padne par jawaab bhi de raha tha aur wo Priya mujhe
class me sabhi ke saamne beizzat kar rahi thi ham dono me hui chhoti si ladaayi
ko pure class ke saamne dikhaane ki kya jarurat thi aur agar main chup reh jaata
to sabhi mere baare me galat hi sochte iss liye usko uske hi tarike se jawaab de
diya abb wo kabhi bhi aisa karne se pehle ek baar jarur sochegi aur wo Karan
usspar to itna gussa aa raha hai ki agar main abhi college me nahi hota to usko
maar maar ke buraa haal kar deta college me thaa issliye hungama nahi kiya aur
upar se aaj Principal sir ke pass bhi jaana hai mujhe ek baat samajh me nahi
aaya ki wo apna naak hamaare bich kyu ghusaa raha tha aur mujh par haath bhi
uthaa raha tha uss ko aaj ek baat to samajh me aa gaya hoga ki mujhse panga
lene ka anjaam kya hota hai agar aage se bhi ye mujhe aise hi pareshaan karta
raha to dikha dunga ki Sameer ka gussa kitna khatarnaak hai kutte ko dikha
dunga ki main jaldi gussa to nahi hota lekin agar gussa ho gaya to kya kya kar
sakta hun uske baad waha kuch der shaanti chaa jaati hai Rajesh bhi kuch bol
nahi paa raha tha kuch der ham dono bina kuch bole apna naashta karterahe
Rajesh ka chup rehna mujhe thoda aascharya sa lag raha tha iss liye maine usse
poocha
Sameer:- kya hua be? kyu chup ho gaya?
Rajesh:- to kya karu abb mahaul hi serious ho gaya hai ki kuch bol nahi paa raha
Sameer:- chill yaar kuch serious nahi hai lagta hai tu college ki iss ladayi jhagade
aur bahas ke baare me jyaada nahi jaanta ye sab to aam baat hai aur mere liye
koi nayi baat nahi jab bhi koi mujhse pange leta hai main uska band acche se
baja deta hun ye sab to hota rehta hai aisi chhoti chhoti baato me mood off nahi
karte
Rajesh:- lekin fir bhi mujhe aisa lagta hai ki hamne bekaar me hi chhoti baaton ko
itna bada kar diya bina matlab kuch dushman ban gaye Karan ki baato se to
lagta hai ki wo kuch na kuch to jarur karega apni beizzati ka badla lene ke liye
Sameer:- tu mera dost ho kar ye sab keh raha hai tu itna darpok kab se ho gaya
aur tu uss comedian ki baato se dar gaya kuch nahi karega wo aur agar kuch
karne ka socha bhi to uske saath uss wakt nipatenge
Rajesh:- ye sab baate chhod aur tu ye bata ki tu kabhi sudhrega ya nahi
Sameer:- kya matlab hai tera? main kab bigda tha jo mujhe sudharna chahiye
Rajesh:- bigada to nahi hai lekin tujhe nahi lagta ki tujhe apni kuch aadatein
badalna padega jab dekho tab kisi se lad jaata hai kabhi bhi koi baat pe serious
nahi hota jo marzi me aata hai wahi karta hai kab tak aisa hi rahega ek na ek din
to badalna hi padega na
Sameer:- arre yaar abhi ham college me hai ye bas padhne ka aur masti karne
ka time hai bhagwaan ki meharbaani se accha dimaag mila hai jo bhi padhta hun
dimaag me set ho jaata hai aur rahi baat masti karne ki to yahi wakt hai apni life
ko khulke jeene ka aur jo marzi aaye wahi karne ka baad me ye wakt kabhi nahi
aayega aur baad me jab job hogi shaadi karunga tab matured ho jaaunga aur
ussi tarike se sochunga filhaal to pura masti karunga aur kabhi nahi badlunga
Rajesh:- tujhse baat karna hi bekaar hai kabhi kisi ka baat nahi maanta abb ye
bata ki class me jaake kya karega?
Sameer:- (smiling) acche se jaan gaya hoga ki main kabhi nahi badlunga kisi ke
kehne pe aur class me jaake kya karna hai lecture pe dhyaan dunga
Rajesh:- main padhaai ki baat nahi kar raha main to ye poonch raha hun ki tu
abb Karan aur Priya se kaise react karega jab class me jaayega
Sameer:- mujhe koi farak nahi padta wo log class me rahe ya nahi main to bas
apna kaam se matlab rakhunga aise react karunga jaise wo log class me hai hi
nahi aur agar unn logo ne mujhe pareshaan kiya to iit(brick) ka jawaab pathar se
dunga abb teri nautanki khattam ho gaya ho to class me chale? yaa fir tujhe kuch
aur bakwaas karni hai
Rajesh:- nahi abb koi baat nahi karni chal class me lecture ka time ho gaya hai
iske baad ham dono class me chale gaye lecture suru hone me kuch der aur
baaki tha iss liye class laghbhag khaali tha sirf Priya Divya Karan aur ek ladki ko
chhod kar Priya aur Karan to mujhe ghoor rahe the main bhi muskuraata hua
apni jagahpar baith gaya meri muskuraane ki wajah se unka gussa aur badh
gaya lekin wo log kuch nahi kar paaye main kuch books nikaal hi raha tha tabhi
ek ladki aa gyi mere pass aur boli
Ladki:- hi Sameer mujhe to vishwaas hi nahi hua ki ek ladki khud saamne se aa
kar mujhe hi bol rahi hai mujhe to samajh me bhi nahi aa raha tha ki usne hi kyu
kaha maine usse poocha
Sameer:- ji kahiye kya baat hai aur aapko mera naam kaise pata?
Ladki:- tumne hi to Khanna sir ke class me kaha tha ki tumhaara naam Sameer
Sharma hai and my name is Shruti uski baato se to main kuch soch hi nahi paa
raha tha ki wo kyu mujhse baat kar rahi hai usne koi kaam ki baat nahi kaha tha
maine fir se Shruti se poochaa
Sameer:- so Mrs Shruti kya aap mujhe apna introduction dene aayi hai main to
soch raha tha ki koi kaam ki baat hogi issliye aap mujhse baat karne aayi hai
meri baat sun kar Rajesh hansne laga to Shruti hadbada gayi lekin khud ko
sambhaaalte hue usne kaha
Shruti:- to kya tum kisi se tabhi baat karte ho jab koi kaam ho waise main tumse
dosti karne aayi thi aur tum mujhe aap kehna band karo ham log same level me
hai
Sameer:- ohh to ye baat hai aur ye batao ki tum mujhse dosti karna kyu chahti
ho? main to hamesha ki tarah usse jawaab de raha tha lekin meri har jawaab
sunne ke baad pehle wo meri baato ka matlab samajhne ki koshish karti aur fir
jawaab deti
Shruti:- mujhe tumhaara himmat bohat accha laga sir se binakisi dar ke tumne
baat kiya aur to aur uss ladki ko majja chakhaaya (Shruti hansne lagi aur Priya
usko gusse se ghoorne lagi) aur uss ladke ko bhi acche se maara (abb Karan bhi
usko gusse se dekhne laga) main gate ki baahar se pura live show dekh rahi thi
mujhe tumhaara daring bohat pasand aaya issliye socha ki tumhe apna dost
banaana chahiye Shruti ki baato ko sunne ke baad aur Priya aur Karan ki chehre
ke gusse ko dekhne ke baad main bhi muskuraa kar bola
Sameer:- waise dosti karne me mujhe koi problem nahi hai main to har kisi ko
apna dost maanta hun aur sabhi se friendly behave karta hun mujhe bas
bishwaasghaati dosto se nafrat hai (Priya aur Karan ki taraf dekhte hue) aur jo
log mujhe apna dushman maante hai mujhe unse koi matlab nahi aur agar mujhe
pareshaan karne ki koshish kiya to accha majaa chakhaata hun
Shruti:- tum baat bohat ajeeb tarike se karte ho samajhna bhi mushkil hai bas
itna kaho ki tum mujhse doshti karoge yaa nahi
Sameer:- (muskuraate hue) yes aajse ham friends maine bas itna hi kaha tha ki
students class me aane suru ho gaye wo muskuraate hue apni jagah par chali
gayi ek najar Priya aur Karan ki taraf dekha to wo log abhi bhi mujhe gusse se hi
ghoor rahe the maine koi parwaah nahi kiya aur iske baad lectures me busy ho
gaya jab saari lectures khattam ho gaya to main apna bag uthaa kar ghar jaane
laga Principal sir se milna hai ye baat dimaag se nikal gaya tha kucch aage hi
pahuncha tha class se nikalne ke baad ki tabhi Khanna sir mil gaye aur unhone
mujhse keh diya
Mr Khanna:- kaha jaa rahe ho tum? bola thaa na maine lectures ke baad
Principal sir ki office me aana Khanna sir ki aawaj se gussa saaf jhalak raha tha
wo abhi tak subah waali baat ko bhulaa nahi paaye the
Sameer:- oh sorry sir dimaag se ye baat nikal gaya chaliye chalte hai Principal sir
ki office me iske baad main aur Khanna sir dono Principal sir ki office me chale
gaye waha jaakar dekha to Principal sir hamaara hi wait kar rahe the aur bohat
gusse me bhi lag rahe the mujhe iss baat se koi farak nahi pada aur keh diya
Sameer:- may I come in sir? maine bas itna kaha sir kuch der mujhe gusse se
ghoorte rahe aur bole
Principal:- aayie Mr Sameer Sharma aapka hi intejaar ho raha tha Principal sir ki
baat se main soch me pad gaya ki innhone mujhe kaise pehchaan liya aur mera
intejaar kyu kar rahe the
Sameer:- sir aap mera intejaar kar rahe the ye baat samajh me nahi aaya aur
aapne mujhe kaise pehchaan liya?
Principal:- aapko iss liye pehchaana kyu ki aap hi wo sincere student hai jiski
complaint mere pass sabse pehle aayi hai aur uske baad maine aapka pura
detail check kar liya ek baar aapse baat karna chahta tha iss liye aapka intejaar
kar raha tha Principal sir baat to bohat meethi meethi kar rahe the lekin unki baat
me unka gussa koi bhi samajh sakta tha mujhe pata tha ki maine koi galti kiya hi
nahi hai to darne ki koi baat nahi maine bhi sir ko keh diya
Sameer:- sir mujhe lagta hai ki Khanna sir aapko sab kuch bata chuke hai to
main iss matter ko aur explain nahi karunga aur mujhe nahi lagta iss me meri koi
galti hai khair main jyaada baat nahi karna chahta aap apna faislaa suna dijiye
maine sir ko bohat hi halke tarike se keh diya mera makshad unka apmaan karna
nahi tha lekin sir ko meri baat bilkul bhi accha nahi laga wo kuch bolne hi waale
thhe ki Khanna sir ne Principal sir se kaha
Mr Khanna:- dekha sir aapne kitna badtameez hai ye ladka baat karne ki bilkul
bhi tameez nahi hai class me bhi mere saamne aise hi baat kiya tha issne main
to kehta hun nikaal dijiye aap isko iss college se Mr Khanna ki baat sunne ke
baad mujhe thoda hairaani hua ki wo itni chhoti si baat ke liye mujhe college se
nikaalna chahte the mujhe iss baat se bhi kuch fark nahi pada aur main chup
raha Principal sir ki faisla ka wait kar raha tha
Principal:- Sameer tum Dr Sharma ki beta ho na?
Sameer:- yes sir main unhi ka beta hun
Principal:- jaante ho wo mera dost hai bohat din ho gaya usse mile hue wo to
bohat hi accha insaan hai sabhi ke saath acche se behave karta hai lekin mujhe
tumhe dekh aascharya ho raha hai ki tum uske beta hone ki baawjood itna
badtameez kaise ho tum aur tumhaara baap ki nature me jameen aasmaan ka
difference hai Principal sir thoda hairaan aur thoda gussa bhi the mujhe bhi unki
baat kuch accha nahi lag raha tha fir bhi maine aaram se jawaab diya
Sameer:- sir mere papa ne mujhe ye hi sikhaaya hai apne se bado ki izzat karna
aur sabhi se acche se behave karna lekin ye bhi sikhaaya hai ki jab koi bewajah
tumhe pareshaan kare to chup mat baithna aur jhutthe ilzaam ko mat sehna khud
acche se raho aur jab koi pareshaan kare to usko ushike tarike se samjhaaao
main to Khanna sir se acche se baat kar raha tha lekin sir ne jab mere baare me
ulta sidhaa bolna suru kiya tab maine jawaab diya fir bhi main inhe acche se hi
jawaab de raha tha agar unki jagah koi aur hota to main uski acche se band baja
deta ye kehte hue mujhe Karan ki yaad aa gaya aur last ki line maine thoda
gussa me bhi kaha tha meri baat sunne ke baad Principal sir gussa me bole
Principal:- bas Sameer bohat hua ye mera office hai tameej se baat karo aaj
main tumhaare papa se baat karta hua aur unhe tumhaare kartut ke baare me
batata hun aur Sameer main tumhe tumhaare iss harkat ki wajah se tumhe
college se nikaal bhi sakta hun abhi tak to main aaram se baat kar raha tha lekin
sir ki iss baat se mujhe bhi gussa aa gaya aur maine thoda gussa ke saath kaha
Sameer:- sir aapko jo karna hai kariye main kuch nahi kahunga aur mujhe koi
fark bhi nahi padega mujhe iss college me free scholarship me admission milaa
tha agar iss college ko chhod diya to bhi koi fark nahi padega bohat si college hai
iss city me kisi ek me padh lunga aur sir papa ko jo bhi bataana hai bata dijiye
main unhe sab sach sach bataa kar samjhaa dunga itna to yakin hai mujhe ki wo
mera baat par vishwaas jarur karenge mera achanak se gussa ho jaana aur iss
tarah baat karne se Khanna sir aur Principal sir dono hairaan ho gaye wo dono
kuch nahi bol rahe the kuch der wahi khada rehne ke baad main bola
Sameer:- sir aap kuch bol nahi rahe hai mujhe lagta hai abb mera yaha rehne ki
koi kaam nahi hai to sir mujhe lagta hai ki abb mujhe nikalnaa chahiye meri baat
sunne ke baas Principal sir ne gusse me kaha
Principal:- jao main bhi waha se nikalne laga aur gate me pahunch kar picche
mood kar sir ki taraf dekhte hue kaha
Sameer:- sorry sir mujhe aise gusse me baat nahi karna chahiye tha lekin mujhe
afsos bhi nahi maine jo bhi kaha mujhe nahi lagta ki maine kuch galata kaha hai
iske baad main waha se nikal gaya aur ghar ki aur chala gaya
Present
Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Mahesh ki mobile me kisi ka phone aaya wo
phone pick karke kuch der baat karta hai phone katne ke baad Mahesh Sameer
ko kehta hai
Mahesh:- sorry yaar ghar me kuch emergent kaam aa gaya hai aur mom ne
mujhe abhi ghar bulaya hai kal subah fir yahi milenge aur uski baad ki baat
karenge
Sameer:- thik hai yaar tu jaa teri family ko teri jarurat to hai mera family ne to
mujhe ignore kar diya mera waha hone aur naa hone se unko koi fark bhi nahi
padta kya karu yaar galti bhi meri hi hai Sameer ne bohat hi emotional ho kar ye
baat kaha Mahesh ko bohat dukh hota hai Sameer ki haalat dekh kar lekin usko
apne ghar me kuch urgent kaam bhi thaa issliye wo Sameer ko samjhaate hue
kaha
Mahesh:- yaar tu himmat rakh agar tu hi himmat haar gaya to kaise chalega tu
chinta mat kar yaar main hamesha tere saath hun kal tu mujhe puri baat bataana
uske baad main kuch na kuch jarur sochunga yaar Mahesh ne Sameer ko
samjhaate hue kaha Sameer ko Mahesh ka saath se uski dard me bhi thoda sa
sukoon mila usko lagne laga tha ki usko ek saccha dost mil gaya hai jo usko hr
mushibat me saath dega
Sameer:- tu mera saath hai yahi mere liye bohat hai abb tu ghar jaa aisi
emergency me deri nahi karte
Mahesh:- tu bhi sambhal kar jaana bohat beer pee liya hai tune gaadiyon ko
dekh kar chalna
Sameer:- chinta mat kar yaar agar mar bhi gaya to hi shaayad koi aansu
bahayega mere liye sabhi ki najaro me galat ban gaya hun yaha tak ki khud ki
najaro me bhi main galli se hote hue chala jaaunga udhar koi gaadi nahi aati
aaram se pahunch jaaungaaa lekin tu der mat kar jaldi se jaa Sameer har pal
khud ko kamjor mehsoos kar raha tha Mahesh ko uski iss haalat par bohat dukh
hota hai wo to soch raha tha ki Sameer ko uske ghar tak chhod kar ghar jaaye
lekin jis tarah se uski mom ne usko bulaaya tha ussko sochte hue usko thoda dar
bhi lag raha tha aur wo abb bina der kiye apne car ko apni ghar ki aur teji se
dauda deta hai idhar Sameer bhi ladkhadaate hue apna ghar pahunch jaata hai
aaj uska bhaagya kuch accha tha Mr aur Mrs Sharma aaj ghar par nahi the kuch
kaam ke liye ek ghante ke liye baahar gaye the ussi wakt Sameer apne ghar me
enter karke siddhiyon se ladhkhadaate hue apna room me pahunch jaata hai jab
wo apna room me pahunchta hai to Priya bhi room me hi maujood thi Priya usko
iss haalat me dekh kar shocked ho jaati hai aur gusse se poonchti hai
Priya:- tum kaha se aaye ho aur ye kaisi haalat bana liya hai tumne jarur daru
piya hoga tumne Priya ki aawj me uska Sameer ke liye gussa aur nafrat saaf
jhalak raha tha Sameer bhi bas itna hi keh paata hai
Sameer:- dost se milne gaya tha Sameer ne bohat dhire se ye baat kaha uske
pass abb itna himmat nahi tha ki Priya ke saamne thofi bhi uncchi aawaj me baat
kar sake Sameer apni haalat dekh khud par hi taras khaa raha tha wo Priya se
pehle din ki mulaakat ko yaad karta hai wo ek aisa samay tha jab Sameer Priya
ko apne khilaaf kuch bolne nahi deta tha lekin aaj wo khud wahi Priya ke saamne
kuch bol nahi paa raha tha kitna majboor ho gaya tha Sameer jo kabhi koi agar
uski beizzati kare to seh nahi paata tha lekin aaj wo khud hi apni najro me gir
gaya tha
Priya:- tumne daru piya hai na? Priya ne hamesha ki tarah iss baar bhi gusse me
boli
Sameer:- han thoda sa Sameer sofa ki taraf jaate hue bola
Priya:- tumhaara himmat kaise hua dare peekar mere saamne aane ki? jaldi se
baahar jao Priya ne Sameer se najar hatate hue ye baat kaha iss baar Sameer
ko bhi gussa aa gaya aur upar se pehli baar daaru peene ka nasha usne bina
soche samjhe bol diya
Sameer:- tu hoti kaun hai mujhe mere room se nikalne waali aur mujhe
samjhaane waali ki mujhe daaru nahi peeni chahiye meri life hai aur mera marzi
main daru piyu ya fir drugs lu tujhe isse kya matlab itna mujhe khud par vishwaas
hai ki main chaahe jitna bhi nasha me kyu na rahu tujhe touch bhi nahi karunga
to tu abb chup ho jaa aur mera dimaag kharaab karna band kar agar tujhe mera
daaru peene se problem hai to tu khud hi baahar chali jaaa Sameer ne apna
saara gussa nikaal liya aur sofe pe lait kar blanket apne upar chaddha liya Priya
Sameer ki harkat me achanak aisa badlaaw aane se shock ho jaati hai shaadi ke
baad ye pehla mauka tha jab Sameer ne uske saath itni tej aawaj me aur gusse
ke saath baat kiya tha usko to Sameer ki baat par bohat gussa aa raha tha isse
pehle ki wo kuch kari uske mobile me kisi ka phone aa jaata hai wo apna mobile
me dekhti hai to phone Divya ka tha usko Divya par bhi bohat gussa aa raha tha
usne call ka koi response nahi diya call katne ke baad fir se Divya ki call aa jaata
hai wo iss baar bhi call nahi uthaati jab 4 baar aur call aata hai to Priya sochti hai
ki shaayad Divya usse kuch jaruri baat karna chahti hai aur call uthaate hue
gusse me kehti hai
Priya:- han bol kya kaam hai?
Divya:- abhi bhi naaraj hai kya mujhse please yaar maaf karde jo bhi hua usske
picche ham sab majboor thhe Divya ne Priya se maafi maangte hue kaha
Priya:- main kaise tujhse naraaj ho sakti hun tum logo ne bohat accha kiya meri
shaadi karwa kar tune apni dosti acche se nibhaayi hai Priya ki aawaj se hi uska
gussa pata chal raha tha Priya kehna to aur bhi bohat kuch chahti thi lekin kuch
soch kar chup ho gayi Priya ka gussa dekh Divya ki himmat gayab ho gayi bolne
ki aur wo chup ho gayi kuch der ki khaamoshi ko todte hue Priya boli
Priya:- tu chinta mat kar main tujhe kuch nahi kahungi jab mere maa baap ne hi
mera saath nahi diya to tujhse kya ummid rakh sakti thi paiso ke liye meri jindagi
barbaad kar diya abb Priya ki aawaj me gussa ki jagah ek dard tha wo Divya se
roti hui boli Divya ko Priya ki baat pe dukh bhi ho raha tha aur thoda gussa bhi aa
raha tha
Divya:- ye tu kya bol rahi hai tu apni maa ki baare me aisa bol bhi kaise sakti hai
maana ki ter baap ne paise ke liye teri shaadi karwaa diya lekin issme teri maa ki
koi galti nahi hai wo bhi bohat majboor thi issliye teri shaadi Sameer se karwaana
pada tu to apni maa ko bacchpann se jaanti hai naa to kaise unke baare me aisa
soch sakti hai sharam aani chahiye tujhe unke baare me aisa bolte hue bhi itna
keh kar Divya gusse me phone kaat deti hai Priya Divya ki baat sunne ke baad
ek baar sochne par majboor ho jaati hai
Priya:- (in her mind) kya maa ki koi galti nahi hai? to fir unhone kyu mujhe apna
kasam de diya shaadi ke liye? kyu jabardasti meri shaadi karwa di gai? Divya
keh rahi thi ki koi majboori thi unki lekin kaisa majboori ho sakti hai? (kuch der
sochne ke baad) kahi Sameer ne to majboor nahi kiya? shaayad ye shaadi ki
picche koi na koi badi wajah jarur hai mujhe ye jaana hi hoga kisse pucchu? agar
Sameer se poocha to ye jarur jhoothi kahaani sunaa dega shaayad Divya se hi
poochna sahi hoga ye sab sochne ke baad Priya fir se Divya ko call lagane lagti
hai lekin uski haath ruk jaati hai jab uski najar Sameer ki haath par padta hai
Sameer ki haath sofa ki sheet se blanket se baahar nikal kar niche latak raha tha
aur uski haath me jo ghadi thaa usko dekh kar Priya hairaan ho jaati hai wo apni
jagah se utth kar Sameer ke pass jaati hai aur ghadi ko gaur se dekhne lagti jab
wo ghadi ko acche se dekh leti hai to uski hairaani aur badh jaati hai wo gusse
se Sameer ko uthaati hai aur kehti hai
Priya:- Sameer ye dekho ye kya hai? ye kehkar Priya Sameer ka ek haath uthaa
kar uske dusre haath me de deti hai Sameer jaag to gaya tha lekin fir bhi nashe
ki wajah se usko neend lag raha tha usko piya ki iss tarah se uthaane ki wajah se
aur uski iss question se gussa aa jaata hai
Sameer:- tumne bhi piya hai kya jo nahi pehchaan rahi ho ye mera haath hai abb
chhodo aur mujhe sone do itna keh kar Sameer phir se lait jaata hai sone ke liye
Priya ko uski baat se gussa aa jaata hai aur wo kehti hai
Priya:- main haath ki baat nahi kar rahi hun main tumhaare haath me lagi hui
ghadi ki baat kar rahi hun Priya ki sawaal ka jawaab Sameer aankh band rakhke
hi deta hai
Sameer:- to kya problem hai tumhe meri ghadi se?
Priya:- tumhaare pass Karan ki ghadi kaha se aaya kahi tumne uski ghadi to nahi
churaaya? Priya ki iss baat se Sameer shocked ho jaata hai khud par chori ki
ilzaam lagne se uski saara neend gaayab ho jaata hai wo utth kar bed par baith
jaata hai aur kehta hai
Sameer:- kya kya kaha tumne maine Karan ki watch churaaya meri abhi aisi bhi
bure din nahi aaya ki mujhe uss comedian ki cheej churaana pade
Priya:- tameej se baat karo agar fir se Karan ko comedian bola na to dekh lena
agar tumne ye ghadi nahi churaaya to ye tumhaare pass kaise aaya ye to Karan
ki ghadi hai abb tak Sameer puri tarah se hosh me aa gaya tha aur usko kuch
yaad aaya aur kaha
Sameer:- abb samajh me aaya yaad hai tumhe ham sab ek baar college tour me
gaye the tab maine ek baar meri iss watch ko khol kar ek jagah me rakh diya tha
baad me lene gaya to gayab ho gayi thi baad me Karan ke pass mila usne meri
watch ko uthaa liya tha shaayad tumne ussi time dekha hoga iss watch ko uske
pass Sameer ki baat sunne ke baad Priya ko aaj ki din kadusra shock laga usse
bhi yaad aaya ki usne Karan ki haath me uss ghadi ko bas ek baar hi dekha tha
wo waha se utth kar apni bed par chali gayi aur baith kar aaj ki pure din ke baare
me sochne lagi Sameer Priya ke jaate hi ulta ghum kar fir se sone ki koshish
karne laga Priya aaj Sameer aur Divya ki baat sun kar thoda hairaan ho gayi
lekin Sameer ki baat sunne ke bad usse vishwaas hi nahi ho raha tha wo kuch
sochte hue turant utth kar Sameer ke pass gayi
Priya:- Sameer (uski baato se abhi bhi thoda gussa jhalak raha tha) Sameer
sone ki koshish kar raha tha aur abb sone hi waala tha ki Priya ki baat ne uska
neend fir se tod diya usko gussa to bohat aa raha tha aaj Priya ki harkat par jab
wo shaam me mushkil se ghar me aaya tha tab Priya ka uss par chillaana aur jab
wo soo gaya tha tab fir se jaga kar uspar hi chori ka ilzaam laga diya aur abb jab
sameeer fir se sone laga tha fir jaga diya Sameer ko to itna gussa aaya thaa ki
agar Priya ki jagah koi aur hota to pakka uska band baj jaata lekin Priya se usko
abb kis tarah se baat karna chahiye ye usko samajh nahi aa raha tha jab bhi
Priya ki taraf dekhta usko apni galti ka yaad aa jaata aur wo Priya se najre nahi
maila paata fir bhi usne Priya se keh diya
Sameer:- abb kya hua (ghadi ki taraf dekhte hue) raat ka 11:00pm baj raha hai
iss wakt kyu jagaa rahi ho sone do abhi bohat neend aa raha hai Sameer ne
apne gussa ko dabaate hue kaha lekin wo fir bhi apni aawaj me se frustration ko
nahi dabaa paaya tha lekin Priya ne uski baat ka koi parwaah na karte hue kaha
Priya:- tum apni ghadi utaaro Priya ne bhi hukum dete hue kaha Sameer ko Priya
ki baat se thoda ajeeb laga wo kyu usse apna ghadi utaarne ke liye keh rahi hai
lekin wo abb koi bahas nahi karna chahta tha aur apna ghadi utaarkar Priya ko
de diya
Sameer:- ye lo ghadi aur ab mujhe sone do itna keh kar Sameer ne Priya ki taraf
ghadi badhaa diya usko pata hi nahi tha ki Priya kaha khadi hai jab se wo jagaa
thaa wo Priya se apna face ghumaa kar baat kar raha tha Priya ki taraf ek baar
bhi nahi dekha tha jab kuch der tak bhi Priya ne uske haath se ghadi nahi liya to
usne thoda sa gussa dikhaate hue kaha
Sameer:- abb kya hua kuch der pehle hi ghadi maang rahi thi abb de diya to nahi
le rahi ho tumhaari problem kya hai nahi lena hai to mat lo (Sameer ghadi
waapas apne pass rakh leta hai) abb please jao aur mujhe sone do iss baar
Sameer ki aawaj me thoda gussa bhi thaa aakhir kab tak wo khud par control
rakh paata lekin abhi bhi kucch hadd tak control me hi tha
Priya:- (with some attitude) mujhe tumhaari ghadi nahi chahiye Priya kuch der se
lagataar Sameer ki haath ko ghur rahi thi iss baar wo bas itna bol kar fir se
Sameer ki haath ko gaur se dekhne lagi lekin jis jagah par wo dekhna chahti thi
wo dekh nahi paa rahi thi
Sameer:- ghadi nahi chahiye thaa to nikalwaaya kyu aur tum kyu mera dimaag
kharaab kar rahi ho har baat par Sameer ka gussa badh raha tha lekin abb isse
aage wo kuch kehta Priya ne Sameer ka left hand khinch liya
Sameer:- ye kya kar rahi ho tum mujhe lagta hai aaj tum sach me paagal ho gayi
ho aur aisi paagalo waali harkat kar rahi ho abb mera haath chhodo iss baar
Sameer ki aawaj me gussa ki jagah hairaani tha usse samajh me nahi aa raha
tha ki Priya ne achanak se uska haath kyu pakad liya Priya:- apna haath
ghumaao (Priya ne utsukta ke saath kaha) Sameer ne bhi usse bahas karne se
accha uski baat maana hi sahi samjha aur apna haath ghumaa diya jab Sameer
ne apna haath ghumaaya to uski haath me lagi gahare ghaaw ki nisaan dekh
Priya chaunk gayi aur chaunkte hue boli
Priya:- ye ghadi tumhaara iss jagah pe ghaaw ka nisaan matlab uss din tumhi the
jisne mujhe bachaaya Priya ka iss tarah se bolne se Sameer ko bhi hairaani hua
uska neend iss baar bhi puri tarah se gaayab ho gaya aur usne hairaani ke saath
poocha
Sameer:- abhi tak maine tum se kuch nahi puccha lekin abb mujhe tum ye
bataao ki tumhe meri ghadi aur ghaaw ki nisaan se kya kaam aur jis tarah se
tumne mujhe mera ghaaw ki nisaan dikhaane ko bola usse to yahi lagta hai ki
tumhe pehle se pata tha ki mere ghadi ki nicche waali hisse par ghaaw tha aur
sabse badi baat maine tumhe kab bachaaya mujhe to kuch yaad nahi aa raha
Sameer ko Priya ki baat sur uski harkat dekh kar sach me hairaani ho raha tha
Priya:- yaad hai tumhe wo college tour tumne ek ladki ko bachaaya tha ek pahad
se nicche girne se ussi wakt tumhaara haath ek patthar se chhil gaya tha aur ye
ghaaw ka nissaan wahi hai main hi wo ladki thi jisko tumne bachaaya uss time tej
barshaat aur baadalon ki wajah se main tumhaara face nahi dekh paayi thi bas
tumhaara ghadi aur ghaaw ko hi dekh paayi thi jab tumne mujhe bachaaya tab
tum jaldi se kahi chale gaye the tumhe thanks bhi nahi keh paayi iss wakt Priya
ka saara gussa gaayab ho gaya tha Sameer ke liye usse hairaani ho raha tha ki
Sameer ne hi uskp bachaya tha abb usse samajh me nahi aa raha tha ki abb
kaise react kare udhar Sameer ko bhi hairaani ho raha tha ki jis ladki ko usne
bachaya tha wo Priya thi
Sameer:- ohh to wo ladki tum thi main bhi barshaat ki wajah se tumhe nahi dekh
paaya tha accha hua ki nahi dekh paaya agar dekh leta to pata nahi tumhe
bachaata bhi ya nahi main har kisi ki help karta hun lekin apna dushman ka nahi
lekin uss condition me main kya karta ye mujhe nahi pata aur jab maine tumhe
bachaaya tha tab jaldi se Shruti ki birthday ke liye chala gaya tha wo mera hi wait
kar rahi thi pehle hi tumhe bachaane ki chakkar me late ho gaya tha aur upar se
agar tumse baat karne lagta to bohat time waste ho jaata aur main nahi chahta
tha ki kisi bhi ladki ke liye main Shruti ka birthday party miss kar du aakhir wo
meri best friend jo hai maine apna kaam to pura kar diya tumhe bachaane ki yahi
mere liye kaafi tha iss liye main chala gaya bina thanks sune aur jab Shruti ki
birthday party par pahuncha to haath se khun thoda jyaada behne laga tha
issliye apni ghadi utaar kar camp ki side me rakh diya aur kisi ko pata nahi chale
iss liye kisi ko nahi bataya ki mera haath buri tarah se kat gaya hai maine apna
rumaal se apna haath baandh liya aur baad me jab ghadi lene aaya to kisi ne
uthaa liya tha baad me pata chala ki wo tumhaara Karan ka kaam hai uss time to
itna gussa aa raha thaa ki do thappad laga diya kameene ko mera birthday gift
tha jo mujhe mere papa ne diye the aur ussi gift ko usne churaa liya tha Sameer
ne to puraa baat bata diya Priya ko lekin Sameer ka usko dushman kehna Shruti
ke baare me accha bolna Priya ko bilkul bhi accha nahi lag raha tha Sameer ki
baat sunne ke baad Priya ko abb Karan ke liye bhi gussa aane laga wo Sameer
ko bas itna hi keh paayi
Priya:- abb tum so jao abb disturb nahi karungi itna keh kar Priya apne bed par
chali gayi aur sochne lagi
Priya:- (in her mind) iska matlab Sameer ne mujhe bachaya wo to mujhe apna
dushman maanta thaa aur hai to fir usne mujhe kyu bachaya usne mera chehra
nahi dekha tha issliye aur usne abhi to kaha ki usne mujhe nahi pehchaana aur
pehchaanta to bachaata chi yaa nahi usse nahi pata bachaa kar bhi kaun sa
accha kaam kiya hai usne meri life ko barbaad kar diya usne saare sapne tod
diya aur Karan se bhi alag kar diya main iss kaam ke liye Sameer ko kabhi maaf
nahi karungi aur Karan usne mujhe kyu jhooth bola wo ghadi uska nahi tha aur
naa hi usne mujhe bachaya lekin usne jhooth bola aur kaha ki ye uska ghadi hai
aur usne mujhe bachaaya tabhi se to main Karan se pyaar karne lagi thi Karan
ne mujhse jhooth bola aur wo bhi itna bada jhooth jhooth se hi hamaara pyaar ki
rishte ka suruwaat hua lekin usko kaise pata chala ki main pahaad se niche girne
waali thi shaayad usne kahi se dekh liya tha ek baar usse iss baare me baat
karna hi padega Priya apne mann me ateet ki wo saari baat ko yaad kar rahi thi
aur sabhi baato ko gaur se soch bhi rahi thi idhar Sameer bhi Priya se baat karne
ke baad kuch hi der me so gaya lekin kisi ke phone ne fir se usko jaga diya wo
bhi gusse se mobile ki taraf dekhne laga mobile ki screen me Rajesh ka naam
show kar raha tha abb wo gusse me phone pick kar leta hai aur apna saara
gussa Rajesh pe phone par hi utaarne lagta hai Sameer phone recieve karne se
pehle apne room se baahar nikla aur phone uthaakar chhat kitaraf chala gaya wo
Rajesh ke saath Priya ki maujoodgi me baat nahi karna chahta tha
Sameer:- han kya hua? itni raat ko phone kyu kiya? Sameer ki aawaj se uska
gussa ka pata chal raha tha udhar se Rajesh ne thoda darte hue kaha
Rajesh:- mujhse naraaj hai kya? itna gussa kyu hai? Rajesh ki iss baat ne
Sameer ka gussa aur badha diya
Sameer:- abe kameene tune mujhe yahi pucchne ke liye itni raat ko phone kiya
yahi baat subah nahi pucch sakta tha kya meri neend tod diya tune kameene aaj
to koi chhain se sone bhi nahi de raha Sameer ka abb sir aur aankh dono me
dard hone laga tha pehle to daru ki nasha aur abb neend ki nasha dono ne
Sameer ko jakad liya tha usne gusse me Rajesh ko daant diya
Rajesh:- itna din se lag raha tha ki tu mujhse naraaj hai iss liye tujhse baat karne
ki himmat nahi hua socha aaj himmat karke baat kar leta hun pehle to tujhe raat
ke 12:00am me phone karta to bhi yu uthaa leta tha iss liye socha abhi der nahi
hui hai bas bhai itna kehna chahta hun ki jo bhi hua unn sab me maine jaanboojh
kar kuch bhi nahi kiya mujhe maaf karde yaar Rajesh ko sach me guilt feel ho
raha tha usne Sameer se maafi maangte hue kaha
Sameer:- nahi yaar isme teri kya galti hai jo bhi kiya maine kiya main tujhse
naraaj nahi hun lekin bhai abhi mujhe sone de yaar bohat jor ki neend lagi hai
upar se daaru ki nasha sir dard se fata jaa raha hai jo bhi baat karni hai kal kar
lenge Sameer ne bohat mushkil se ye baat kaha usse to bolne ka mann bhi nahi
tha fir bhi usne bohat mushkil se itna keh diya
Rajesh:- thank god main to yahi soch kar ghut raha tha ki maine bohat badi galti
kiya hai aur main tujh se kabhi najre nahi milaa paaunga Sameer ek baad pe
dhyaan dena mujhe Shruti ke upar doubt ho raha hai jarur iss khel me uska koi
na koi haath jarur hai mujhe wo thik nahi lag rahi Rajesh ne apna shak Sameer
ko bata diya Sameer ko bhi hairaani hua Rajesh ki baat sun kar
Sameer:- ye tu kya keh raha hai Rajesh wo dost hai hamaare uske baare me
aisa kaise soch sakta hai jab usko mera aur Priya ki shaadi waali baat pata chala
to pata hai wo kitna dukhi hui thi wo mujhse pyaar karti hai yaar wo aisa kaise
kar sakti hai jarur tujhe koi galat fehmi hua hai Sameer ko Rajesh ki baat se
bohat hairaani ho raha tha aur wo sab uski baato se bhi jhalak raha tha
Rajesh:- mujhe bhi pehle laga tha ki wo hamaari dost hai lekin abb mujhe uspar
shak ho raha hai maana ki wo tujhe pyaar karti hai lekin ye baat tu bhi jaanta hai
ki wo Priya se nafrat bhi karti hai mujhe to lafta hai usne Priya ko nukshaan
pahunchaane ke liye koi planning kiya tha bhai mere baat ko halke se mat lena
iss par ek baar dhyaan se jarur sochna chal abb rakhta hun phone and good
night itna keh kar Rajesh ne phone cut kar diya Sameer ko Rajesh ki baat ne ek
baar fir se sochne par majboor kar diya wo fir se Shruti aur Priya ki dushmani
yaad karne laga usko abb kuch samajh me nahi aa raha tha neend ki wajah se
usne socha ki wo iss baare me baad me sochega aur chala gaya apne room me
sone ke liye jab wo apna room me gaya to usne dekha ki Priya usse ghoor kar
dekh rahi hai usse bohat hairaani hua aur usne aankho se hi puch liya ki kya
hua? jawaab me Priya ne usko hi sawal pucch diya
Priya:- kaha gaye the? Sameer ki hairaani aur badh gaya Priya ki iss sawaal se
Priya ne ye sawal kyu puccha usse iss baat ki hairaani ho rahi thi
Sameer:- Rajesh ka phone aaya tha to chhat par gaya tha aur tum ye sab kyu
pucch rahi ho?
Priya:- to tum yaha baat nahi kar sakte the ? aisi kaun si baat hai jo mujhse
chupa kar Rajesh se baat kar rahe the? Priya ki iss sawal ne Sameer ko thoda
gussa dilaaya aur upar se nasha iss wajah se usne bhi gussa me Priya se keh
diya
Sameer:- kyu? tumhaare saamne main baat kyu karu? meri life hai mera marzi
main kisi ke saamne dosto se baat karna pasand nahi karta iss liye main akele
maine jaake usse baat kiya tumse shaadi karna mera majboori tha maine tumhe
dil se apna patni nahi maana so tum apna ye acting band karo? aaj daaru ki
nashe me Sameer ne dusri baar Priya se gusse me baat kiya tha daaru ne usko
kuch pal ke liye hi sahi waapas puraana Sameer bana diya tha agar koi aur pal
hota to Sameer shaayad Priya ki har ek baat ko seh leta lekin daaru ne abb apna
asar dikha diya tha Priya ko Sameer ki baat bilkul bhi accha nahi lagta lekin wo
kuch bolti nahi bas Sameer ko gusse se ghur rahi thi Sameer bhi abb kuch nahi
bolta hai aur sofe me lait kar so jaata hai Sameer ke sone ke kuch der baad hi
Priya ko waapas Divya ki call aa jaati hai Priya Divya ki call uthaa leti hai
Priya:- abb kya hua? tabhi to bohat gusse me tune call cut kar diya tha jo bhi ho
jaldi se bol aur phone rakh Priya ka abhi baat karne ka koi mood nahi tha Divya
se to pehle se hi wo gussa aur naraaj thi
Divya:- please meri baat dhyaan se sunn abhi main jaanti hun ki tu mujhse bohat
naraaj hai lekin main jo bhi kahungi uss ko dhyaan se sunn lena
Priya:- mujhe pata hai abb tu yahi kahegi ki Sameer accha ladka hai uske saath
tu bohat khush rahegi sab log acche hai bas tu hi acchi nahi hai yahi kehna
chahti hai na tu tu ne kya sab ko acche saabit karne ka kasam khaayi hai kya
Priya ne Divya ki baat ko bicch me hi kaat gusse ke saath kaha
Divya:- Sameer ka to pata nahi lekin Karan bilkul bhi accha nahi hai bas yahi
bataane ke liye tujhe phone kiya tha Divya ki iss baat sePriya ka gussa aur bhi
badh gaya abb wo Divya par bhadak gayi
Priya:- bas kar teri bakwas tab se dekh rahi hun bas mujhe gussa hi dila rahi hai
wo accha hai ye buraa hai bas yahi sab kahi jaa rahi hai mujhe nahi pata kaun
accha hai aur kaun buraa bas tu hi logo ko samajhti hai meri najro me Sameer
mere papa mere maa aur tu meri gunehgaar hai jisne meri marji ke khilaaf meri
shaadi karwa diya Sameer se tum log ko main kya lagti hun insaan ya koi
khilauna maine Sameer se bohat baar manaa kiyaa tha ki main usse shaadi nahi
karungi lekin usne meri ek baat nahi maani pata nahi kya makshad hai uska jab
maa se kaha to unnhone mujhe apna kasam de diya tu meri dost hokar bhi
tamasha dekhti rahi kuch nahi boli aur papa unke baare me to kucch nahi bolna
chahti wo to Sameer ki paison ke saamne jhuk gaye unhe hamesha paison se
pyaar tha iske liye wo kitna bhi niche gir jaaye unhe koi fark nahi padta aur tu
Karan ke baare me galat bol rahi hai bas wo hi ek hai jisne mujhse pyaar kiya
han abhi wo naraaj hai mujhse lekin dekhna wo mujhe jaroor maaf kar dega aur
mujhse shaadi bhi karega itna to mujhe uss par aur mere pyaar par bharosha hai
Priya ki aawaj me dard aur gussa dono hi tha usko apne pariwaar waale aur
Sameer par bohat gussa aa raha tha aur apni haalat dekh bohat dukh bhi ho
raha tha bas wo hi jaanti thi ki wo yaha Sameer ke saath kaise ghut ghut kar jee
rahi hai naa hi uska koi saath de raha tha aur naa hi uski dard me saamil hone
waala koi tha akeli pad gayi thi wo bas ek hi aasa tha ki ek din Karan usko maaf
kar dega aur yahi baat usko himmat de raha tha jeene ka warna wo to ussi pal
mar gayi thi jab uski shaadi Sameer se hua tha aur usne jo bhi kaha tha Divya se
wo apni jagah par bilkul sahi thi usko puri baat ka pata nahi tha jitna pata tha
usko usne wo sab keh diya Divya bhi chup ho kar sabhi baat ko sunn rahi thi
usko accha lag raha tha ki Priya apni dil ki saari bhadaas nikaal rahi hai ek baar
to usne socha ki jo baat kehne ke liye usne Priya ko phone kiya tha wo baat abhi
nahi bataani chahiye fir agle hi pal socha ki agar abhi nahi bataya to shaayad
bohat der ho jaayegi jab Priya shaant hui apni baat keh kar tab Divya ne kaha
Divya:- main jaanti hun Priya abhi tu kaisa feel kar rahi hai bohat mushkil pal hai
tere liye jo bhi hua accha nahi hua lekin abb kya kar sakte hai sab majboor ho
gaye the tere papa ko chhod kar mujhe lagta hai iss shaadi me jarur koi teesre
ka haath hai wo waha maujood nahi tha lekin sab ushi ne kiya hai jitna Sameer
ke baare me tu galat sochti hai utna wo nahi hai haa galti usne jaroor kiyaa tha
lekin usne uss galti ko sudhaarne ke liye ye sab kiya tha main bataati hun tujhe ki
Sameer ne tere saath shaadi kyu kiya wo bas tujhe uss maahaul se nikaalna
chahta tha aur socha ki teri shaadi baad me Karan se ho jaayegi iss tarah se wo
apni galti bhi sudhaar lega aur teri jindagi barbaad hone se bach jaayegi lekin
ham sab me kisiko bhi yakin nahi tha ki Karan tujhse shaadi karne se manaa kar
dega aur tu jo Karan ka pyaar me andhi ho gayi hai aur uski taarif kar eahi hai
maine tujhe uske baare me hi bataane ke liye phone kiya hai tu uska intejaar kar
rahi hai naa lekin tujhe pata hai kal wo shaadi kar raha hai usne tujhe aur tere
pyaar ko dhokha diya hai aur tu ushi ki taarif kar rahi hai mujhe to bohat pehle se
wo accha ladka nahi lag raha tha bohat baar samjhaaya tha tujhe lekin tune
kabhi meri baat ko seriously nahi liya abb dekh usne kaise tere saath pyaar
nibhaaya hai agar wo tujh se pyaar karta to tera har haal me saath deta lekin wo
tujhe iss tarah bicch me hi chhodkar kisi aur se shaadi kar raha hai bas tujhe yahi
bataane ke liye phone kiya tha mujhe ye baat abhi nahi batana chahiye tha abhi
tujhe koi buri khabar dene ka mera mann nahi tha lekin kya karu agar abhi nahi
bataati to shaayad der ho jaata socha wakt me hi sab bataana sahi hoga ek baar
Karan se baat kar ke dekh shaayad koi baat ban jaaye lekin mujhe nahi lagta ki
aisa hoga Priya Divya ki baat iss baar dhyaan se sunn rahi thi Karan ki shaadi ki
baat sunn kar usko bohat dukh hua uski aankho se aansu behne lage uska
aakhiri vishwaas bhi aaj toot gaya tha ki Karan uska saath dega uska to baat
karne ka koi mann hi nahi tha wo call cut karke rone lagti hai Sameer ne abb tak
uski aur Divya ki koi baat nahi sunaa thaa wo to gehri neend me so gaya tha
kuch der rokar apna dil ko halka karne ke baad usne himmat karke Karan ko
phone lagaya dusri taraf se Karan ka aawaj aaya
Karan:- han kya hua abb phone kyu kiya tumne? maine kaha thaa na abb
hamaara koi rishta nahi Karan ki baat se pata chal raha tha ki wo gussa me hai
aur Priya se baat karna nahi chahta
Priya:- Karan kya tum shaadi kar rahe ho? Priya ne sidha mudde ki baat kahi
uski aawaj me ek dard tha aur rote hue usne Karan se puccha tha lekin Karan ko
abb uske dard aur aansu ki koi fikar nahi tha lekin usko thoda aascharya jarur
hua ki Priya ko ye baat kaise pata chala
Karan:- han abb tumne to mujhe dhokha de diya to kya main tumhaare yaadon ki
sahaare jinda laash ban kar rehta maine bhi aage badhne ka faisla le liya
Priya:- tum kehte ho ki tum mujhse pyaar karte ho agar pyaar kiya hota to ek
baar bharosha to kar lete khair abb tumse baat karne se koi faaida nahi hamaari
rishte ki shuruwaat hi jhooth se suru hua tha to vishwaash aur bharosha jaisi
cheej kaha se aata tum mujhse rishta todna chahte ho na to thik hai aaj se main
tumhaare jindagi me kabhi nahi aaungi aur tum bhi meri jindagi me kabhi mat
aana aaj se hamaara saara rishta khattam Priya ne itna keh kar phone cut kar
diya usne ye sab to keh diya lekin wo hi jaanti thi ki kitni mushkil se usne ye sab
kaha hai usse 1 hafte ke andar hi sabhi rishte toot gaye the aaj pyaar ka rishta
bhi toot gaya wo iss wakt kitna dard me hai sirf wahi jaanti thi phone kaatne ke
baad wo joro se rone lagia aur apni kismat ko kosne lagi bina koi galti kiye wo
aisi sazaa bhugat rahi thi kucch der rone ke baad jab usne Sameer ka chehra
dekha to ek dam se rona band kar usne ek faisla le liya jindagi me aage badhne
ka faisla wo Sameer se iss baare me kal baat karne ka soch kar bed par lait kar
so gayi
Next morning
agli subah Sameer subah hi utth gaya uthne ke baad jab wo fresh ho kar aaya
tab uska najar fir se Priya par pad gaya Priyako dekhte hi uska mood off ho gaya
jab bhi Sameer Priya ko dekhta tha usko sharmindagi mehsoos hota tha abhi ke
liye Priya se bacchne ke liye Mahesh ko phone karta hai udhar se Mahesh ki
aawaj sunne ke baad Sameer kehta hai
Sameer:- kaha hai yaar jaldi se kal jis park me mile the wahi pahunch main bhi
aa raha hun
Mahesh:- sorry yaar aaj nahi aa paaunga bhaiya ka kal accident ho gaya tha to
abhi hospital me hun kal maa ne bhi iss liye jaldi me bulaaliya tha
Sameer:- koi baat nahi yaar baad me fir kabhi mil lenge abhi tu hospital me hi
rehna aur apni family ka khayaal rakhna
Mahesh:- tu bhi apna khayal rakhna jaldbaazi me koi galat kadam mat uthaana
Sameer:- aaj bhi main wahi Sameer Sharma hun jo pehle hua karta tha bas Priya
ke saamne kuch nahi bolta warna main aaj bhi pehle ki tarah majboot hun jo
kitna bhi bada aandhi kyu na aa jaaye uska saamna acche se kar sakta hun tu
chintaa mat kar main koi galat kadam nahi uthaaunga bas sahi kadam nahi uthaa
paa raha hun lekin jald hi iss problem ka solution nikaal hi lunga Sameer ne ye
baat bohat hi aatmavishwaas ke saath kaha iske baad dono kuch der aur baat
karte hai aur phone rakh dete hai kuch der baad Priya bhi utth jaati hai wo bhi
fresh hokar Sameer ke pass aati hai aur kehti hai
Priya:- mujhe tum se kuch baat karni hai Priya ne thoda rookhapan ke saath
kaha
Sameer:- han kaho
Priya:- mujhe lagta hai abb hame aage ki jindagi ka decision lena chahiye
Sameer:- thik hai tumhaara decision ho bhi hoga main bina koi condition maan
lunga
Priya:- maine soch liya hai mujhe divorce chahiye main tumhaare saath nahi reh
paaungi bohat ghutan mehsoos hota hai tumhaare saath rehte hue aur tumse
nafrat bhi bohat karti hun so maine socha hame alag ho jaana chahiye Sameer
Priya ki baat ka koi reply nahi deta Priya uski chehre ko padhne ki koshish kar
rahi thi lekin wo bhi confused ho gayi thi ki Sameer kya soch raha hai Sameer ki
chehre me kabhi khushi to kabhi dukhi bhaaw najar aa raha tha
Priya:- tum aise chup kyu ho? maine tumse kuch kaha hai
Sameer:- samajh me nahi aa raha tumhaare iss baat ka kya jawaab du Sameer
Priya ki decision ke baare me kuch faisla nahi le paa raha tha wo abhi bhi yahi
soch raha tha ki aisi situation me kaun sa decision lena accha rahega Priya ko
Sameer ki iss baat pe bohat gussa aata hai aur wo kehti hai
Priya:- (angrily) tumhe kya samajh me nahi aa raha bas itna samajh lo ki main
tumse nafrat karti hun aur tumhe iss galti ke liye kabhi maaf nahi karungi mujhe
divorce chahiye abb to tumhe samajh me aa gaya hoga na meri baat
Sameer:- lekin ye decision kuch jaldi nahi ho gaya
Priya:- nahi kuch jaldi nahi hai agar abhi ye faisla nahi liya to der ho jaayegi
Sameer:- agar aisa hai to thik hai jaise tumhaari marzi tumne aage ka decision to
le hi liya hoga matlab Karan se shaadi mujhe yakin nahi tha ki wo itni jaldi maan
jaayega any way best of luck for your future Sameer ko kal raat me hui koi bhi
baat nahi pata tha usse laga ki Karan aur Priya ki problems khattam ho gayi hai
aur wo dono shaadi karne waale hai issliye Priya ne Sameer se divorce maanga
Priya:- shut up chup ho jao behtar yahi hoga ki tum Karan ke baare me baat mat
karo its not your business waise bhi tumhe bata hi deti hun ki wo aaj shaadi kar
raha hai lekin mujhse nahi hamaara rishta khattam ho gaya hai maine sabhi se
apna rishta tod liya hai aur ye jabardasti waala rishta jo tumse judd gaya hai wo
bhi todna chahti hun Priya ki baat me gussa aur dard dono hi tha Karan ne jo
kiya tha uske saath uski wajah se uske dil ko bohat chot pahunchi thi aur upar se
Sameer ki baato ne uske dard ko aur bhi badha diya saath me gussa bhi
Sameer:- what? mujhe nahi pata tha ki ye kameena itna gir jaayega ek baat
bataao tumhe usse pyaar ho kaise gaya dil to kar raha hai usko jaan se maar du
Priya:- chup tum bhi apna bakwaas band karo tumne kaun sa accha kaam kiya
hai jo Karan par chilla rahe ho tumne to usse bhi ghatiya kaam kiya hai meri
najar me to tum Karan se bada gunehgaar ho at least wo kisi se jabardasti
shaadi to nahi kar raha dusro ki khilaaf bolne se pehle khud ko aayine (mirror)
me dekho Sameer ko ye baat bohat buraa lagta hai wo fir se khud ki najaro me
gir gaya lekin iss baar wo khaamosh nahi raha
Sameer:- sorry Priya maine jo galti kiya hai main usse sudhaarna chahta hun
tumne sabhi se rishta tod liya matlab apne parents se bhi aur abb divorce ke
baad kya karogi kaha rahogi kya karogi kuch intejaam kiya hai tumne
Priya:- tum bas itna karo ki tum kuch bhi mat karo main sab manage kar lungi
han maine sabhi se rishta tod liya hai waise parents se rishta rakhne se accha
hai ki unse sab rishta tod lu apne swaarth ke liye khud ke aulaad ki jindagi
barbaad kar di filhaal to maine socha nahi hai ki kya karungi divorce ke baad
lekin itna sure hai ki iss desh ko chhod kar baahar jaaungi
Sameer:- kyu baahar jaane ki kya wajah hai abb tumhe apne desh se kya
problem ho gayi tumhaara gunehgaar to ham sab hai na Sameer ko Priya ki baat
thoda ajeeb lagta hai
Priya:- problem desh se nahi tum sabse hai main yaha nahi rehna chahti tum
sabke beech main life ko naya tarike se start karna chahti hun iske liye abroad
jaana hi accha rahega kucch opportunities bhi mil jaayega life ko apne hisaab se
jeene ka aur tum sab ki manhoos yaadon se dur rehne ka aur yaha par mera hai
hi kaun jiske liye yaha rahu
Sameer:- iske baare me to kucch nahi kahunga abb tumne apne liye ye decision
liya hai to shaayad accha hi hoga aur agar tum chaho to mujhe iss shaadi se koi
problem nahi han thoda wakt jaroor lagega khud ko adjust karne me aur mentally
prepared rehne me ki tumhaare saath aage ka jinfagi bitaane me lekin apni ki hui
galti ko sudhaarunga jarur aur iss rishte ko bhi acche se nibhaaungaa
Priya:- no chance abb main picche nahi hatne waali aur main tumhaare saath
rehne ka to soch bhi nahi sakti maine tumhe pehle hi bata diya hai sab kuch
hame divorce le lena chahiye Priya ki baaton se pata chal raha tha ki wo abb
apni baat se picche nahi hatne waali aur ye divorce lekar hi rahegi
Sameer:- ok fine main tumhe divorce de dunga lekin ek request hai tumse
Priya:- main tumhaari koi bhi request ya condition nahi maanungi bas mujhe
divorce chahiye Priya ki baaton me hamesha ki tarah gussa aur rookha pan tha
Sameer:- ye request tumhaare faaida ke liye hi hai main to tumse ye request kar
raha tha ki jab tak tumhaara abroad jaane ka process complete nahi ho jaat tum
yahi par raho maanta hun meri galti ka maafi nahi mil sakti lekin itna to kar hi
sakta hun na aur tab tak hamaara divorce bhi ho jaayega saath rehna padega iss
baat ki fikar mat karo tum dusre room me shift ho jaana aur main tumhaare
saamne bina kisi reason ke nahi aaungaa tum apni tarah se hi apni life jeena bas
yahi request tha ki jab tak tumhaara kaam nahi ho jaata tum yahi par raho
Priya:- ok thik hai Priya ko iss divorce waali baat se thoda accha lagta hai lekin
uske gamm ke saamne ye kucch bhi nahi tha wo ek baar Sameer ki taraf dekhti
hai aur Sameer ko khush dekh kar thoda hairaan ho jaati hai
Priya:- tum aise achaanak se khush kyu ho gaye? Priya ne iss baar gusse aur
rookhepan ki jagah hairaan hote hue poocha
Sameer:- divorce waali baat se main bhi tumhaare saath nahi rehna chahta hun
bas apni galti ko sudhaarne ke liye iss rishte ke baare me soch raha tha lekin
tumhaari baaton se meri bhi problem dur ho gayi han lekin iss baat ka dukh jarur
rahega mann me ki meri wajah se tumhe problems hui lekin itna vishwaas karo ki
jaaanbujh kar maine kuch nahi kiya aur agar ho sakr to mujhe maaf kar dena
Sameer aaj bohat time baad khush hua tha wo bhi Priya ke saath nahi rehna
chahta tha aur wo bhi Priya se utna hi nafrat karta hai jitna ki Priya usse karti hai
lekin apni galtiyon ka praayschit karna chahta tha iss wakt usko apne nafrat se
jyaada apna galti mehsoos ho raha tha lekin aaj Priya ki divorce waali baat se wo
bhi bohat khush ho gaya isske baad Sameer aur Priya me koi baat nahi hoti
Sameer ko to aaj Priya ki baato se bohat khushi mil raha tha usne jo galti kiya
tha uske baad to Priya ko alag hone ki baat to nahi kar sakta tha lekin wahi baat
Priya ne usse keh diya lekin iss khushi me bhi usko thoda dukh ho raha tha Priya
ki life se khelne ka dukh chahe Sameer Priya se jitna bhi nafrat kyu na kare lekin
usko ye baat accha nahi lag raha tha ki uski wajah se Priya ki life itna badal gaya
hai wo apna galti sudhaar bhi nahi sakta tha Priya ne usko saaf mana kar diya
tha Sameer ko abb kuch bhi karne se
Udhar Priya ko divorce waali faisle se thoda raahat to mila ki abb usko Sameer
ke saath nahi rehna padega lekin usko abhi bhi bohat dukh ho raha tha apni life
ki beete hue pal ko yaad karke usko apni papa se kabhi pyaar to mila nahi lekin
maa aur Karan ke pyaar ko yaad karke uski aankhon se aansu gir rahe the Divya
ki baato se usko pata chala ki uski maa ki koi majboori thi fir bhi Priya apni maa
se naraaj thi agar itni majboor ho gayi thi to ek baar bata deti lekin bina kuch
bataaye apni kasam dedi aur shaadi bina uski marzi ke karwa diya iss wajah se
wo apni maa ko maafi nahi kar paa rahi thi Karan se mila dhokha uski dil ko
bohat chot pahuncha raha tha pehle pyaar me mila bewafai bohat dardnaak hota
hai ye abhi Priya mehsoos kar rahi thi na jaane kya kya sapna dekha tha Priya
ne Karan ke saath lekin Karan ne uske saare sapno ko pal bhar me tod diya aur
usse apna mouh mod liya pyaar me andhi hokar Priya ne jo andha vishwaas kiya
tha Karan par abb usko soch kar usko mehsoos ho raha tha ki kya sach me
Karan ne uske saath pyaar kiya tha? lekin jo bhi ho pyaar ek tarfa ho ya do tarfa
pyaar na milne par dil ko jo chot milta hai ye to sacche dil se pyaar karne waalo
ko hi iska andaaza hota hai apne saccha pyaar me mila bewafai ko yaad karte
hue Priya andar se bohat ro rahi thi aur sabse badi baat wo abb bilkul akeli padd
gayi thi na hi kisi ko apni dil ka haal bataa sakti thi aur naa hi koi tha jo usko
sambhaal sake wo rona chahti thi lekin roo bhi nahi paa rahi thi Sameer ke
saamne ro bhi kaise sakti thi usse to bas kuch hi dino me do rishte toot gaye the
ek rishta maa aur papa se aur ek pyaar ka rishta wo bhi bina koi galti kiye kuch
der tak to Priya bas dukhi hokar ye hi sab soch rahi thi lekin kuch pal baad usne
apne dil ko majboot kar liya aur sochne lagi
Priya:- (in her mind) nahi main inn khokhle rishte ko yaad kar ke roo nahi sakti
agar aisa karti rahi to main khud se hi haar jaaungi unn logo ne mujhe apne life
se nikaal kar fenka hai naa abb mujhe apne life me aage badhna hi hoga ek din
mera kaamyaabi dekh inn logo ko pacchtaawa jarur hoga abb shaayad yahi
raasta hai mere pass aage badhne ka Sameer se divorce lene ke baad abroad
chali jaaungi aur apne life me aage badhungi socha nahi tha ki mujhe mere apne
hi mera saath iss tarah chhod denge jab apno ne hi saath chhod diya to dusro se
kya umeed rakhna (ye sochte hue Priya Sameer ki taraf dekhti hai) bas ek hi to
hai Divya jisko abb main apna keh sakti hun bas wahi hai jisko abhi bhi meri fikar
hai bas dukh iss baat ka hai ki jab mujhe uski sabse jyaada jarurat tha tab usne
bhi mera saath nahi diya (after some time) usne mujhe kaha tha ki Sameer ka
bhi koi majboori tha mujhse shaadi karne ke liya aakhir kya majboori ho sakti hai
usko jisse usko mujhse shaadi karna pada ek baar usse baat karke dekhti hun
aakhir kya wajah ho sakti hai ye sab sochne ke baad Priya Sameer ki taraf jaati
hai Sameer abhi khidki ko khol kar baahar ki taraf dekh raha tha uske chehre me
kabhi khushi ke bhaaw tha to kabhi thoda sa dukhi hone ka Priya Sameer ke
pass pahunch kar kehti hai
Priya:- Sameer mujhe tumse kuch baat karni hai
Sameer:- hmm bolo jo bhi kehna chahti ho
Priya:- ek baat poochna chahti thi ki tum iss divorce ke baare me kya karne ki
soch rahe ho? Priya sidha mudde waali baat nahi karna chahti thi usse lag raha
tha ki kahi Sameer uski baat na taal de
Sameer:- abhi uske baare me jyaada socha nahi hai pata nahi tab tak kya mood
hoga lekin itna to soch rakha hai ki pehle apni iss galti ke liye maa aur papa se
maafi maangunga ek job karunga aur Shruti se bhi maafi maang kar usko shaadi
ke liye propose karunga Shruti ka naam sunkar Priya ko bilkul bhi accha nahi
laga lekin wo iss baat ko ignore karti hai aur aage pucchti hai
Priya:- tumne to kaha tha ki tum usse pyaar nahi karte to fir abb shaadi kyu iss
baar Priya ki aawaj me rookhapann ke saath gussa bhi tha
Sameer:- wo iss liye kyu ki main bhale usse pyaar nahi karta lekin wo to mujhse
karti hai aur main usska dil bhi nahi todna chahta aakhir ek din kisi se shaadi to
karna hi hai to usse kyu na karrlu uska dil bhi nahi tootega aur sab kuch accha
ho jaayega kisi ne kaha hai ki shaadi uss ladki se shaadi karna chahiye jo hamse
pyaar karte hai Sameer ki iss baat par Priya ko gussa aa jaata hai
Priya:- tum me sach me koi feelings hai hi nahi aakhir itne din saath rehne ke
baad bhi tumhe kaise Shruti se pyaar nahi hua jabki tum jaante ho ki wo tumse
bohat pyaar karti hai tumhaare pass dil hai bhi yaa nahi tumhe to dusro ki
feelings ki koi parwaah hi nahi jabardasti mujhse shaadi kar liya aur abb Shruti ki
bhi feelings ki koi parwaah nahi Priya ne Sameer ko gusse me jawaab diya
Sameer ko bhi Priya ki iss baat par gussa aa gaya aur wo bhi bola
Sameer:- tum please mere baare me kuch mat bolo main jaisa bhi hun apne aap
se bohat khush hun haa ye maanta hun ki maine accha nahi kiya tumhaare saath
shaadi kar ke bas yahi ek galti ko main galti maanta hun aur bas issi wajah se
main khud hi sharminda mehsoos kar raha hun warna main aapne aapse bohat
khush hun aur koi mere baare me jo bhi soche mujhe koi fark nahi padta maine
tumhe kaha bhi hai ki main apne galti ko sudhaarne ki kosis jarur karunga lekin
tumne hi mana kar diya abb point par aata hun tum kehte ho ki mujhe dusro ki
feelings ki koi parwaah nahi main poochta hun ki dusron ne meri feelings ka kya
parwaah kiya hai mera age abhi 25 years hai iss age tak shaayad sabhi logon ko
kisi na kisi se pyaar ho jaata hai lekin aaj tak mujhe kisi se pyaar nahi hua ye
nahi hai ki maine kisi se pyaar karna chaha hi nahi jab 19 ya 20 years ka tha tab
main bhi chahta tha ki main bhi kisi se pyaar karu ya koi mujhse pyaar kare jab
bhi kisi ladki ke saath baat karta tha to wo log apna attitude dikhaane lagti thi jab
koi help chahiye hoti thi tab kuch pyaari pyaari baatein kar ke apna kaam karwa
leti thi aur kaam ho jaane ke baad mera koi jarurat hi nahi tabse soch liya ki main
kisi se pyaar nahi karunga main kisi ka attituse nahi sahunga bhaad me jaaye
aisa pyaar jisme mujhe ladkiyon ka chakkar lagana pade aur wo mujhe bhaaw
tak nahi de aakhir meri bhi koi izzat hai tab se soch liya ki main kisi ko pyaar nahi
karunga jab kisi ko mera parwaah hi nahi to main kyu kisi ka karu tab se kisi bhi
ladki ke picche padna chhod diya main chahta tha ki koi mujhse pyaar kare meri
feelings ko samjhe aur bohat kuch lekin aisa koi bhi ladki nahi mili jab MBA ke
liye college join kiya to Shruti mili usne to mujhe propose kar diya aur kaha ki wo
mujhse pyaar karti hai lekin mujhe uska pyaar bilkul bhi pasand nahi aa raha
usko bhi meri feelings ka koi parwaah nahi jis cheej se mujhe nafrat hai bas wahi
karti hai mujhe disco aur parties bilkul bhi pasand nahi aur wo chahti hai ki main
uske saath weekends par uske saath wahaa jaakar enjoy karu wo chahti hai ki
main uske saath date par jaata rahu aur uske saath time spend karta rahu mujhe
to uski dress selection bhi pasand nahi jab bhi uske saath inn problems ke baare
me baat karu tab wo ulta mujhse hi jhagada karti hai aur apni hi manmaani kabhi
bhi meri feelings ko samajhne ki koshish nahi kiya hai usne aakhir main usse
pyaar kyu karu jab mujhe ussme kuch pasand hi nahi agar wo mujhse pyaar karti
hai to iska matlab ye nahi ki main bhi usse pyaar karu mujhe to ye bhi nahi pata
ki wo mujhse pyaar karti bhi hai yaa nahi lekin hamesha pyaar karne ki dawaa
karke pareshaan karti hai bas usse dosti todna nahi chahta iss liye usko
bardaasht kar raha hun aur baat ye bhi hai ki main kisi aur se pyaar bhi nahi
karta issliye uska dil bhi nahi todna chahta bas ek hi umeed hai ki ek din wo jarur
badal jaayegi aur usko bhi mera feelings ka ehsaas hoga bas ussi din ka intejaar
hai jab wo bhi meri feelings samjhegi tab shaayad mujhe bhi usse pyaar hoga
main to uske saath shaadi karne ke liye iss liye taiyaar ho gaya tha kyu ki mere
maa aur papa chahte the aur main uska dil bhi nahi todna chahta tha aur socha
ki jab main kisi se pyaar nahi karta hun to Shruti se shaadi karne me kya problem
hai bas iss liye sabki khushi ke liye main shaadi karne ko ready ho gaya tha abb
tumhi bataao main kaha galat hun jab mere dil me uske liye feelings hai hi nahi
to kaise uske saath pyaar kar sakta hun jabardasti to nahi maan sakta ki main
usse pyaar karta hun aur rahi baat tumse shaadi karne ki to ek majboori ki wajah
se ye sab karna pada main tumhe ye baat pehle bhi bata chuka hun aur ye bhi
keh raha hun ki jo bhi tumhaara decision hai main wahi karunga kyu ki meri
wajah se tumhaara life spoil hua hai Sameer ne Priya ki sawaalo ka jawab de
diya Priya ko bhi Sameer ki baat sahi laga lekin usko iss baat se koi fark nahi
pada wo Sameer aur uski feelings ko jaane me interested nahi thi abb usko
maukaa mil gaya tha Sameer ko uska majboori jaane ka
Priya:- tum baar baar apni majboori ki baat keh rahe ho bacchne ke liye chalo
bataao kya majboori tha tumhaara main bhi sunna chahti hun Priya ki iss baat pe
Sameer ko hairaani ho raha tha wo soch raha tha ki aaj Priya ko achaanak kya
ho gaya jo aaj wo ye baat kar rahi hai jab bhi Sameer pehle usko bataana chahta
tha tab wo taal deti thi
Sameer:- agar tum sunna hi chahti ho to thik hai main tumhe saari baat
bataaunga lekin abhi nahi raat ko dinner karne ke baad abhi bich me koi kaam
aa sakta hai aur main tumhe puri baat nahi bata paaunga raat ko aaram se
bataaunga Sameer itna keh kar chup ho gaya Priya ke pass bhi abb kehne ke
liye koi baat nahi tha iss liye wo waapas apni bed par aa jaati hai aur inn dono ke
bicch ek gehri khaamoshi chaa jaati hai ye dono kuch nahi bol rahe the tabhi
room ka door par kisi ka knocking hota hai Sameer door kholta hai to dekhta hai
ki Mrs Sharma khadi thi Sameer to kuch bol nahi paa raha tha wo kuch bolta
usse pehle Mrs Sharma kehti hai
Mrs Sharma:- Sameer tumse milne Shruti aayi hai apni maa ki mouh se apna
naam bohat dino baad sun kar Sameer bohat khush ho jaata hai lekin abbhi wo
kuch bol nahi paa raha tha bas sir jhuka kar itna hi bola
Sameer:- thik hai maa abhi jaata hun Sameer ki aawaj se uska guilt saaf pata
chal raha tha aur wo apni maa se najar churaa kar ground floor par Shruti se
milne chala jaata hai jab Shruti Sameer ko dekhti hai to bohat khush ho jaati hai
aur kehti hai
Shruti:- kya abhi bhi tum mujhse naraaj ho? Shruti ne ye baat bohat dheemi
aawaj me poocha jaise sach me usne koi galti kiya ho
Sameer:- nahi nahi tumne kya kiya hai jo main tumse naraaj ho jaaunga
Shruti:- mujhe laga ki uss din meri aur meri maa ki wajah se tum kahi naraaj to
nahi ho gaye aur tumne ek baar bhi mujhse baat nahi kiya
Sameer:- nahi uss din tum apni jagah bilkul sahi thi tumhaari jagah koi aur hota
to shaayad wo bhi aisa hi react karta aur tum to mujhse pyaar karti ho aur meri
dost bhi ho achanak shaadi tootne ki wajah se tumhe dukh hua hai ye baat main
samajh sakta hun yakin maano main aisa nahi karna chahta tha lekin kuch
majboori ki wajah se aisa karna pada aur tumse issliye baat nahi ho paayi kyu ki
main kuch jyaada hi pareshaan ho gaya tha
Shruti:- kaisi pareshaani? Shruti ne achanak se ye pooch diya usko bhi lag raha
tha kiSameer aur Priya ki rishta abhi accha se nahi chal raha tha aur uski umeed
bhi jagne lagi thi ki wo Sameer ko abhi bhi paa sakti hai
Sameer:- kuch khaas nahi baadmain bata dunga tumhe Sameer abhi kuch bhi
bataane ki haalat me nahi tha iss liye usne abhi baat taalne ka socha
Shruti:- Sameer kya main Priya se baat kar sakti hun kuch baat karni hai usse
Sameer ko Shruti ki baat par hairaani ho raha tha wo acche se jaanta tha Priya
aur Shruti ka dushmani aise me Shruti Priya se kya baat chahti thi yahi soch kar
Sameer ko hairaani ho raha tha lekin fir bhi wo kehta hai
Sameer:- han thik hai wo mere room me hai jaakar baat kar lo Sameer ne bas
itna hi kaha tha ki Shruti jaldi se chali jaati hai Priya ke pass wo jaldi se room me
ghus jaati hai (door locked nahi tha) Priya Shruti ko yaha dekh hairaan ho jaati
hai aur bas itna hi kehti hai
Priya:- tum
Shruti:- han tujhe kya laga tu mujhse mera Sameer ko cheen legi aur main chup
baithungi main Sameer ko waapas paa kar hi rahungi bas yahi warning dene
aayi hun ki Sameer ki jindagi se dur chali jaa warna tera wo haal karungi ki
jindagi bhar mujhe yaad rakhegi Priya Shruti ki iss baat par koi react nahi karti
uska Shruti se jhagada karne ka abhi mood nahi tha Shruti ko Priya ki iss harkat
par aur bhi gussa aa jaata hai aur thodi tej aawaj me kehti hai
Shruti:- main koi majaak nahi kar rahi dekh na ek din tu ek din bohat pachtaayegi
abhi bhi wakt hai chali jaa mera Sameer ki jindagi se teri bhalayi issi me hai iss
baar Priya ko bhi Shruti ki tej aawaj se gussa aa jaata hai usko lagne laga ki
Shruti ko chup karaana hi behtar hoga
Priya:- tujhe jo karna hai kar le main jaanti hun tu ne abb tak mere khilaaf college
se hi kitni saazish rachi hai lekin hamesha teri saazish nakamyaab hi hua hai iss
baar bhi try kar le aur haa sunn hamesha ki tarah teri iss bakwaas se bhi koi
farak nahi padega mujhe han ek aur baat main Sameer ki jindagi me nahi aayi
hun wo aaya hai meri life me Priya ne abhi itna hi kaha tha ki Sameer bhi room
me aa gaya room ki baahar se hi usne Priya ki gussa se bhari aawaj sunn liya
tha
Sameer:- kya hua Priya tum itne gusse me kyu ho? Priya kuch bolne hi waali thi
ki Shruti bol deti hai
Shruti:- dekho na Sameer main iss Priya se baat karne aayi thi lekin ye to mujh
par hi bhadak rahi hai Shruti ki iss baat pe Priya bohat gussa ho gayi aur iss baar
to wo Shruti par bhadak gayi
Priya:- agar aur bhi kehna chahti hai to abhi bol de baad me shaayad isse accha
mauka na mile aur tu chahe jitna bhi jhuth kyu na bol le mujhe koi fark nahi
padega Sameer mujh par vishwaas kare ya na kare isse bhi mujhe koi fark nahi
padta (Sameer ki taraf dekhte hue) Sameer tum jo bhi socho mujhe isse koi lena
dena nahi hai bas yahi kahungi ki tum apne iss dost ko mujh se baat karne se
rok lo warna fir baad me ye na kehna ki maine tumhaari iss dost ki insult kyu kiya
aur ye mujhse baat karne aayi thi na to main kehti hun ki main isse koi baat nahi
karna chahti aur iska shakal bhi nahi dekhna chahti (Shruti ki taraf dekhte hue) to
tune sun liya hoga ki main tujhse koi baat nahi karna chahti to tu yaha se chali
jaa aur mera dimaag mat kharaab kar Priya ki aawaj iss baar kuch jyaada hi tej
tha Sameer to kuch bol nahi paa raha tha usko dar tha ki kahi iss jhagade me
uske maa aur papa yaha na aa jaaye Shruti Priya ke baat se bohat gussa ho
jaati hai itna apmaan shaayad usne apni puri jindagi me nahi saha hoga jitna
Priya ne uska abhi kiya tha aur wo bhi Sameer ke saamne Shruti abb gusse se
Sameer ko dekhti hai aur kehti hai
Shruti:- Sameer tum kuch bolte kyu nahi ye mujhe iss tarah se kaise insult kar
sakti hai meri bhi koi izzat hai abb tum apna biwi ka paksh lena band karo aur
jaldi se kuch bolo isse
Sameer:- (gusse me) kya kahu main han kya kahu naa hi tum meri baat
samjhogi aur na Priya to mera bolne se kya hoga ye tum dono ki problem hai tum
dono hi isse solve karo to accha rahega agar tumhe apna izzat itna pyaara hai to
tum Priya se kyu bahas karti rehti ho bohat baar dekha hai tumhe Priya se
jhagada karte hue agar tum chup rahogi to tumhaara kya bigadta hai har baar
jhagada karo tum aur baat sambhaalu main Shruti ko Sameer se aisa umeed
nahi tha Sameer usse bhale hi pehle naraaj rehta tha lekin gusse se kabhi baat
nahi kiya tha lekin abhi jo hua isse Shruti ko aur bhi gussa aata hai aur wo bina
kuch bole waha se apna ghar chali jaati hai Shruti ke jaane ke baad Sameer aur
Priya me kuch der tak koi baat nahi hoti Sameer sofe par jaata hai aur kuch der
baad kehta hai
Sameer:- dekha tumne kehti hai ki mujhse pyaar karti hai lekin baat baat pe
naraaj ho jaati hai meri ek bhi baat kabhi nahi sunti bas apna hi hukum chalati
rehti hai kabhi meri feelings ki koi parwaah hi nahi bas apni marzi hi chalaati rehti
hai agar main kabhi naraaj ho jaau to gussa hoti hai kya yahi pyaar hai agar
Shruti ki jagah koi aur ladki hoti to bohat pehle hi usse piccha chooda leta lekin
Shruti ki dosti bich me aa jaati hai usne mujhe bohat help kiya hai dosti to bohat
acche se nibhaayi hai usne bas yahi hai pyaar aur dosti me fark dosti kisi ke bhi
saath kiya jaa sakta hai agar do log me khayaal naa mile to bhi dosti ki jaa sakti
hai lekin pyaar aur shaadi me ye possible nahi hai shaadi ke baad to saath rehte
hai aur agar isme khayaal na mile to compromise karna padta hai aur isse
problems create ho sakti hai bas iss liye main Shruti se pyaar nahi kar paa raha
hun wo meri bohat acchi dost hai lekin pyaar nahi agar aaj bhi main Shruti ke
saath hun to uski dosti ki wajah se naaki uske pyaar Sameer ne apni baat to keh
diya lekin Priya uska iss baat ka koi reply nahi deti kuch der tak dono khaamosh
hi rahe aise hi kuch der baad Mrs Sharma dono ko lunch ke liye bulaati hai sabhi
lunch shaanti se kar rahe the koi kuch nahi bol raha tha kuch himmat karke
Sameer bola
Sameer:- papa aapse ek baat karni thi Sameer ki iss baat par sabhi Sameer ko
hi dekh rahe the
Mr Sharma:- han bol kya baat hai koi naya problem to create nahi kiya? Mr
Sharma ki aawaj se pata chal raha tha ki wo abhi bhi Sameer se naraaj hai
Sameer:- nahi papa maine aur Priya ne decide kiya hai ki ham dono divorce
lenge Sameer ne darte hue ye baat keh diya Sameer ki iss baat se waha
maujood Priya Mrs Sharma aur Mr Sharma sabhi shocked ho gaye Sameer ki iss
baat par sabhi shocked ho gaye the lekin Mr Sharma kuch pal ke liye chup rahe
wo kuch soch rahe the Mr Sharma ki iss khaamoshi se Sameer ko dar lag raha
tha har pal uska bechaini aur dar badh hi raha tha ki Mr Sharma kya jawaab
denge kuch pal baad Mr Sharma ne Priya ko kuch kehte hai
Mr Sharma:- ye decision tum dono ne milkar liya hai yaa fir ye akele Sameer ka
faisla hai isne mujhe bataya tha ki ye tumhe pasand nahi karta aur aise me ho
sakta hai abb tumse piccha choodane ke liye isne ye decision liya hai agar aisa
hai to mujhe bataao aaj Sameer ko mujhse koi nahi bacha sakta Mr Sharma
kaafi halke se Priya se baat kar rahe the lekin last line unhone Sameer ko gusse
se dekh kar kahr the Sameer Mr Sharma ka gussa aur naraajgi dekh dar raha
tha Priya kuch bolti isse pehle hi Sameer kehne laga Sameer:- papa Sameer ki
baat ko bich me hi rok kar Mr Sharma fir se apni raubdaar awaaj me kehte hai
Mr Sharma:- maine tujhse kuch nahi poocha hai maine Priya se sawaal poocha
hai to jawaab tu kyu de raha hai Mr Sharma ki aawaj me jo gussa tha usko
mehsoos karke Sameer ke pass abb koi himmat nahi bacha tha Mr Sharma ko
jawaab dene ka wo chup hi raha
Mr Sharma:- (Priya se) han abb bataao Sameer ne force to nahi kiya divorce ke
liye yaa tum dono ke sehmati se ye divorce ho raha hai Mr Sharma ki aawaj fir
halka ho gaya tha unke pass to koi bhi kaaran nahi tha Priya se gussa hone ka jo
bhi galti tha wo Sameer ka tha kuch der ki khaamoshi ke baad Priya kehti hai
Priya:- ye divorce ham dono ki marzi se ho raha hai maine hi Sameer se ki thi
divorce ki baat main Sameer ke saath nahi reh sakti Priya ne bhi dheere se kaha
lekin uski aawaj me koi dar nahi tha wo apna hak ke saath baat kar rahi thi Mr
Sharma fir se chup rahe ye khaamoshi bohat lambe time tak chalta hai Sameer
ki bechaini aur dar fir se badh raha tha ki Mr Sharma kya jawaab denge kuch pal
ki khaamoshi ke baad fir se Sameer himmat jutaa kar kehta hai
Sameer:- papa aapka kya faislaa hai? Sameer dar ki wajah se sirf itna hi keh
paaya
Mr Sharma:- abb isme main kya faisla lu ye tum dono ki problem hai khud solve
karo aur ye galti karte wakt mujhse pucch ke kiya tha jo abb main iss me apni
baat tujhse kahu Mr Sharma ek baar fir se Sameer ko gusse se ghurte hue apni
baat kahte hai Sameer abb unse najre nahi milaa raha tha neechle table me
rakha plate ki taraf dekhe jaa raha tha kuch der baad Mr Sharma apne room me
chale jaate hai aur picche picche Mrs Sharma bhi Sameer baahar jaata hai to
Priya apne kamre me Mr Sharma apne room me aakar bed par lait jaate hai aur
kuch sochne lagte hai kuch der baad Mrs Sharma bhi apne room me aa jaati hai
unke chehre ke picche chupa dard ko Mr Sharma pehchaan lete hai aur kehte
hai
Mr Sharma:- tumhe yahi lag raha hoga na ki main apne beta ke saath itna
rookhapan aur gusse se kyu baat kar raha hu? Mr Sharma ki aawaj me kuch der
pehle tak gussa aur naarajgi tha ab achanak se dard me badal gaya
Mrs Sharma:- nahi mujhe aapki koi bhi baat buraa nahi laga aap apni jagah bilkul
sahi hai main to ye soch kar pareshaan ho rahi hun ki kaisi musibat aa gayi hai
hamaari pariwaar me 2 mahine pehle tak koi problem nahi tha ham sabhi khushi
khushi reh rahe the achanak Sameer ka gaayab hona aur uski galti se puri
pariwaar me sirf tension aur pareshaani ka maahaul ban gaya hai Sameer ki
wajah se Priya ki life bhi kharaab ho gayi pata nahi kiski najar lag gayi ham
sabko ek maa hokar bhi apne beta ka pareshaani dur nahi kar paa rahi hun
andar se bohat roti hun lekin usse baat tak nahi kar paa rahi
Mr Sharma:- beta hai wo mera bhi mujhe bhi uske saath iss tarah baat karna
accha nahi lagta aaj se pehle kabhi uske saath aise baat nahi kiya uske apne
beta se badhkar dost jaisa behave karta tha kabhi usse koi sikaayat nahi raha
lekin usne iss baar kya galti kiya hai usko iss baat ka ehsaas hona chahiye aur
acchi baat ye hai ki wo apne galti ko mehsoos kar raha hai usko sudhaarne ki
koshish kar raha hai dono ne accha kiya jo aapsi sehmati se alag ho rahe hai ye
decision unko hi lena tha aur unhone le bhi liya baat aur bigadne se pehle hi rok
rahe hai lekin Priya ke liye galat bhi lag raha hai bina uski koi galti usko itni badi
sazaa mil gaya bas uske liye dua hi kar sakte hai ki jaha bhi rahe khush rahe
isse jyaada kuch kar bhi to nahi sakte bas iss baat se khush hun ki ye dono apni
galti ko sudhaar kar jindagi main aage badh rahe hai lekin iss khushi ko abhi
Sameer ko dikhaa bhi nahi sakta agar abhi usse pyaar se baat karna suru kar du
jo galti ka ehsaas usse ho raha hai shaayad wo na ho jindagi bhar hamesha
uske saath friendly raha abb wakt aa gaya hai thoda strict hone ka aur agar
Sameer ko abhi maaf kar diya to Priya ki najaro me main bhi gunehgaar ban
jaaunga kyuki Sameer Priya ki sabse bada gunehgaar hai aur aise me main uska
saath dunga to main bhi gunehgaar ban jaaunga
Mrs Sharma:- baat to thik hai aapka lekin samajh nahi aa raha kab ye saari
problems solve hoga aur kab tak hamaare baccho ko aise ghut ghut kar jeena
padega thoda dar bhi lag raha hai kahi aapki rookhapan ki wajah se wo kuch
galat kadam na uthaa le
Mr Sharma:- bachpann se lekar abb tak ki uska har harkat se vaakif hun wo
mujhe bohat respect karta hai kisi se bhi naaraj ho sakta hai lekin mujhse nahi
aaj bhi maine uska chehra padh liya tha lunch time me wo mujhse naraaj bilkul
nahi tha usko apni galti ka ehsaasho raha tha aur thoda bohat dar bhi raha tha
mera beta itna kamjor nahi ki wo mujhse itni si baat par naaraj ho jaaye aur
pareshaan hokar koi galat kadam uthaaye tumse bas itna hi kahunga ki hame iss
maamle me kuch nahi karna chahiye thoda wakt do baccho ko khud problem
solve ho jaayegi Mr Sharma ki baaton se Mrs Sharma ko thoda raahat milta hai
wo kuch nahi kehti thodi der ki iss khaamoshi ko todte hue Mr Sharma kehte hai
Mr Sharma:- tum please Priya se kabhi kabhi baat kar liya karo jab tak wo yaha
rahti hai wo bhi akeli pareshaan rehti hogi aur Sameer ne jo kiya uske saath usse
to tum andaaza laga hi sakti ho ki kya beet raha hoga Priya par shaayad aisa
karne se usko thoda accha lage itna to ham kar hi sakte hai na Mr Sharma ki iss
baat par Mrs Sharma han me sar hilaati hai
Evening at Sameer’s room
Sameer shaam me apne room me pahunch jaata hai usne tay kar liya tha ki wo
aaj Priya ko sab baate batayega jaise hi usne room me enter kiya Priya Sameer
ko gusse se dekhne lagi Sameer ko samajh me nahi aa raha tha ki Priya usse
aise kyu dekh rahi hai wo sochne laga kahi iski wajah lunch time me hui baat to
nahi wo ye soch hi raha tha ki Priya ne aage badhkar usko jo kaha usse Sameer
puri tarah se chaunk gaya
Priya:- tumne aaj bhi beer piya hai na aur tumhaari aankh kyu laal hai? Sameer
Priya ki iss sawaal se chaunk gaya aur usko hairaani bhi ho rahi thi usne bhi
Priya ko jawaab diya
Sameer:- kya main tumhe koi bewada lag raha hun jo har wakt bas daaru hi
peeta rahega maine kal hi pehli baar piya hai
Priya:- agar tumne nahi piya to tumhaari aankhein laal kyu hai? Priya ko Sameer
ki baat par abhi bhi yakin nahi ho raha tha Sameer ki jawaab ke baad hi usne
agla sawaal pooch liya
Sameer:- to tumhaara hisaab se bas daaru pine ke baad aankhein laal hota hai
waise bhi main tumse koi bakwass nahi karna chahta lunch ke baad bike ride par
gaya tha speed kareeb 70kmph ka tha aur abhi abhi lauta hun to shaayad abb
tum ko pata chal gaya hoga ki meri aankh kyu laal ho gaya hai ya tumhe aur
explanations du Sameer ki aawaj se uska frustration ka pata chal raha tha ek to
wo thak kar aaya tha aur upar se Priya ki sawaal se aur jyaada chhidh gaya tha
uske baad dono me koi baat nahi hota Sameer kuch der sofa par lait ta hai aur
utth kar apna kuch jaruri samaan nikaal leta hai room se aur sabhi ko pack kar ke
room se nikalne hi waala tha ki fir se Priya ki aawaj usko rok deta hai
Priya:- kaha jaa rahe ho ye sab lekar? Priya ko hairaani ho raha tha ki Sameer
ye kya kar raha hai
Sameer:- dusra room me jaa raha hun divorce hone tak wahi rahunga itna keh
kar Sameer dusre room me chala jaata hai aur room ko manage krke aaram kar
hi raha tha ki nicche se dinner ka bulaawa aa jaata hai sabhi dinner karke
waapas apne room me aa jaate hai Priya apne room me bechain ho gayi thi
Sameer se sach jaane ki subah se wo bas issi pal ka intejaar kar rahi thi lekin
abb usko samajh me nahi aa raha tha ki Sameer se kaise pucche wo to dusra
room me shift ho gaya hai kya Sameer ke room me jaa kar pucchna sahi hoga?
bas yahi sawaal uske dimaag me aa raha tha lekin uska dimaag bhi baar baar
yahi jawaab de raha tha ki nahi main nahi jaaungi usse baat karne aur uske
picche main kyu jaau mera bhi kuch ego hai aur jab shaam me aaya tha to kaise
rookhepan se baat kar raha tha mujhse kuch bhi ho jaaye main uske pass nahi
jaaungi agar wo nahi bataayega to kya hua kal Divya se puch lungi lekin usko
pata nahi chal raha tha ki aaj usko ye sawaal ka jawaab jaane ki itna bechaini
kyu ho raha hai wo jald se jald saara baat jaan lena chahti thi wo issi tarah khud
se sawaal karti aur khud hi jawaab deti wo yahi sab soch rahi thi ki uske door par
kisi ne knock kiya wo soch rahi thi ki iss wakt kaun aa gaya lekin jyaada na
sochte hue wo jaakar door kholti hai door par Sameer tha Sameer ka iss wakt
room me aana Priya ko thoda ajeeb lagta hai Priya kuch bolti usse pehle Sameer
hi bol deta hai
Sameer:- tumse subah kaha tha na ki raat ko dinner ke baad sab sach
bataaunga to wahi bataane aa gaya
Priya:- sab sach hi bataaoge na Priya ki iss baat par Sameer ko thoda gussa
aata hai aur wo bhi chhidh kar jawaab deta hai
Sameer:- mujhe yaad nahi aa raha ki kab maine tumse jhooth bola hai waise bhi
mujhe koi fark nahi padta ki tumhe meri baat par yakin hoga ya nahi main bas
tumse apni majboori aur iss shaadi ki wajah bataane aaya hun baaki tumhaari
marzi tum yakin karo ya nahi karo
Priya:- accha thik hai abb itna bhi bhaaw mat khaao aur jaldi se bataana suru
karo Priya ne bhi ussi andaaz me boli jis andaaz me Sameer ne usse baat kiya
tha aur saath me uski aawaj me uski bechaini bhi thi puri baat jaane ki iske baad
Sameer ek lamba saans leta hai aur bolna suru karta hai
Quote:
ye baatein Sameer Priya ko bataa raha hai lekin saari baatein Sameer ko bhi
nahi pata kuch baatein uski gair maujudgi me bhi hota hai iss liye as a third
person main ye saari baatein batata hun Sameer Principal sir ki office se nikalne
ke baad sidha apne ghar chala jaata hai wo aaj jo bhi hua unn sabhi baaton ko
firse yaad kar raha tha kaise Priya se uska mulaakat hua Khanna sir se bahas
Priya aur Karan se jhagada aur last me Principal sir ki office me lafada Sameer
ko Priya par Karan ke upar bohat gussa aa raha tha wo kuch der tak unn dono
ke baare me soch raha tha apni life me pehli baar kisi par itna gussa aaya tha
Sameer ko kuch der aise hi unn dono ke baare me sochne ke baad wo ek aur
baat sochta hai
Sameer:- (in his mind) main kyu inn dono ke baare me soch raha hun aise faltu
log ke baare me soch kar main apna hi time waste kar raha hun mujhe inn logo
ko ignore karna hoga aur inke baare me kuch nahi sochna chahiye itna sochne
ke baad Sameer books aur mobile me busy ho jaata hai raat ko dinner ke wakt
Sameer Mr Sharma ko Principal office waali saari baat batata hai
Mr Sharma:- koi baat nahi tujhe koi tension lene ki jarurat nahi hai main kal tere
Principal se baat kar lunga iss baare me aur han tune jo kiya galat nahi kiya
insaan ko sabse pehle apna self respect ka dhyaan rakhna chahiye uske baad
kuch aur
Sameer:- thanks papa mujhe yakin tha ki aap meri baat ko samjhenge
Mr Sharma:- aur mujhe bhi yakin hai tujh par ki tu kuch bhi galat nahi kar sakta
aakhir tu mera beta hai iske baad Sameer aur Mr Sharma dono ki face me
muskaan aata hai aur tabhi dinner serve kar rahi Mrs Sharma kehti hai
Mrs Sharma:- aapne to isko sar pe chaddha rakha hai abb to ye manmaani bhi
karne lag gaya hai kya jarutrat thi isko apne se bado ke saath iss tarah se baat
karne ki (Sameer se) main kuch nahi sunna chahti tu kal Principal sir ki office
jaayega aur unse maafi maangega
Mr Sharma:- ek hi to beta hai apna abb isko sar pe nahi chadhaunga to kisko
chadhaaunga abhi time hai masti karne ka to karne do aur isne keh to diya ki
isne Principal sir se iss tarah baat karne ke liye maafi maang chuka hai lekin apni
baat galat nahi hai ye bhi kaha main Sameer se sehmat hun
Sameer:- thanks again papa fir se mera saath dene ke liye aur maa se bachaane
ke liye bas aap hi hai jo hamesha mera saath dete hai Sameer ne ye baat
majaak me kaha tha Mrs Sharma bhi suru me usko jhutta gussa dikhaa kar
ghoorti hai aur fir baad me Sameer ki iss harkat par muskuraa deti hai iske baad
maahaul ek dam khushi ka maahaul chaa jaata hai aur sabhi khushi ke saath
dinner karke apne room me chale jaate hai Sameer ka mood badal gaya tha jaha
college se aane se usko gussa aa raha tha wahi abb maa aur papa ki baato se
wo ek dam khush ho gaya tha aur sochne lagta hai
Sameer:- (in his mind) thanks god mujhe aisa pyaar karne waale maa aur papa
dene ke liye hamesha meri baato ko samajhte hai aur har baat par saath dete hai
khud se jyaada bharosha karte hai bas bhagwan ek hi request hai aapse main
bhi iss laayak ban jaau ki baad me main bhi apne maa aur papa ka har sapna
pura kar saku hamesha unko khush rakhu aur hamaaara ye pyaar hamesha
badhta hi jaaye kabhi koi problem nahi aaye I am very lucky and proud to have
such a great father and mother Sameer yahi sab sochte hue ek chhain ki neend
sotaa hai iss baat se anjaan ki kal college me hone waala hangama uska besabri
se intejaar kar raha hai
Next day
Sameer ready ho kar college ke liye nikal pada bike par raaste se wo Rajesh ko
bhi pick kar leta hai aur dono dost nikal padte hai college ki aur jab dono college
pahunche aur class ki taraf jaane lage tab ground me wo log jo dekhte hai usko
dekh dono ko bohat hairaani hota hai
Rajesh:- ye Karan Priya aur Divya yaha kya kar rahe hai aur ye log kaun hai jinse
Karan gidgidaa raha hai
Sameer:- ye log seniors hai aur shaayad ye Karan aur team ka ragging le rahe
hai chal dekhte hai kya punishment mila hai Karan ko jo ye iss tarah se gidgidaa
raha hai
Rajesh:- nahi seniors se dur rehne me hi bhalayi hai nahi to ye hamaara bhi
ragging le sakte hai
Sameer:- tu itna darta kyu hai main hun na tere saath chal kuch nahi hoga iske
baad Sameer Rajesh ki koi baat sune bina hi chala jaata hai Karan ki ragging
waali jagah kar Rajesh bhi bina marzi ke Sameer ke picche picche chal deta hai
Sameer ko dekh kar Karan Priya aur Divya ko thoda hairaani hota hai ki ye yaha
kya kar raha hai lekin koi bhi kuch nahi kehta Sameer sidha seniors se pucchta
hai
Sameer:- kya punishment mil raha hai iss ladke ko aur ye itna kyu gidgidaa raha
hai Sameer ekdam bekhauf hokar bola uska baat karne ka andaaz dekh seniors
ko bhi doubt nahi hota ki wo junior hai wo log sochte hai ki Sameer bhi unke hi
year ka hai waha ground par 3 seniors maujood the 2 ladke aur 1 ladki unn me
se 1 senior jo Karan ka ragging le raha tha wo Sameer ko reply deta hai
Senior:- iss ko bola tha ki 5 baar uthak baithak kar lekin ye nahi maana keh raha
tha ki sabke saamne beizzati hoga ye seniors ki baat nahi maan raha tha aur abb
iski punishment ko badha diya 5 se 50 baar tak abb ye gidgida raha hai (Karan ki
taraf dekhte hue) ae ladke sun last time keh raha hun 50 baar uthak baithak kar
le warna 100 baar karna padega senior ko na maanta dekh Karan bhi majboor
hokar uthak baithak karna shuru kar deta hai Sameer Karan ko dekh muskuraa
raha tha Karan to apna kaam me busy ho gaya tha Sameer ki taraf usne dekha
hi nahi tha lekin Priya sab kuch dekh rahi thi Karan ki aisi haalat aur Sameer ka
muskuraana dekh Priya ko bohat gussa aata hai aur wo kehti hai
Priya:- bas bohat hua utho Karan abb koi ragging nahi hoga main bhi dekhti hun
kaise ye ragging lete hai itna keh kar Priya Karan ko uthaa deti hai Sameer ko to
kuch fark nahi pada lekin seniors ko ye baat hazam nahi hua aur wo gusse me
kehti hai
Senior:- tune accha nahi kiya iss ladke ka task adhura chhudwa kar aur tu
ragging hone nahi degi chal abb tera hi ragging lete hai (dusra senior ki taraf
dekhte hue) yaar tu hi bataa isko kya punishment diya jaaye
Senior 2:- (kuch der sochne ke baad) soch raha hun kyu na aaj interesting kiya
jaaye jo bhi ladka abb iss grounf me aayega usko ye ladki kiss karegi Senior 2 ki
baat se sabhi seniors hasne lagte hai lekin uski iss baat se abb Sameer ko bhi
gussa aa raha tha Karan Priya aur Divya teeno hi shocked the senior ki baat sun
kar wo kuch bolte usse pehle Sameer kehta hai
Sameer:- tameej se baat kar tujhe ladki se baat kaise karni chahiye ye baat pata
nahi hai kya ye tum logo ka kis tarah ka ragging hai apni hadd paar mat karo
Sameer ne bohat gusse me ye baat kaha tha isse seniors ko bhi gussa aa jaata
hai aur wo bhi gusse me bolta hai Sameer pehle to Priya aur Karan ki haalat ka
majaa le raha tha lekin jab seniors ne bardaasht se baahar ki baat kiya tab uska
bhi khoon khaul utha Sameer Priya se gussa to tha lekin kisi ke izzat ke saamne
wo apna gussa ko bada nahi maanta tha
Senior 2:- tu hai kaun be tujhe to aaj tak nahi dekha aur tu hamaari maamlo me
dakhal andaazi kyu kar raha hai
Sameer:- iss saal hi admission liya hai to kaise dekhega aur agar mujhe acche
se jaana hai to yaa to mujhse dosti kar le yaa fir mujhse panga le tab jindagi bhar
yaad rakhega mujhe aur tera teesra sawaal ka jawaab tu inn logo ke saath
dakhal andaazi kar raha hai to maine tere maamlo me bhi dakhal andaazi kiya
Sameer ki baat sunn kar seniors shocked aur gussa ho jaate hai shocked iss
baat ka ki unn logo ne Sameer ko nahi pehchaana ki wo junior hai aur gussa iss
baat ka ki wo juniors hokar bhi unnse iss tarah se baat kar rahe hai
Senior1:- to tu hamaara junior hai himmat aur ghamand bohat hai tujhme jo
hamse aisi baatein kar raha hai lekin abb teri iss ghamand ko ham tod kar hi
rahenge tujhe bhi punishment milega tujhe hamaare jutto me naak ragad kar
maafi maangna hoga Sameer aur seniors ki beech ka maahaul dekh sabhi ko
hairaani aur dar lag raha tha gusse me seniors unko aur kya kya punishments
denge yahi soch kar sab dar rahe the Rajesh bhi apne mann me soch raha tha
Rajesh:- ye Sameer ek din marwaa kar rahega hamesha kisi na kisi se panga
lete rehtahai kal Karan se aur aaj seniors se bhagwaan mujhe iss Sameer aur
seniors se please iss baar bacha lo seniors ki baat par Sameer par kuch asar
nahi pada wo aur gusse me bola
Sameer:- himmat ghamand aur gussa to mujhme thus thus kar bhara hai aur tera
jutta me naak ragadna to dur agar jyaada bola to tujhe main apne jutto se
maarna suru kar dunga abb ye hangamaa dekh bheed bhi jama hone laga tha
Sameer ka baat karne ka andaaj dekh sabhi aascharya me pad gaye the seniors
apna iss beizzati ko bardaasht nahi kar paate aur aage kehte hai
Senior 1:- tune galat insaan se panga liya hai mujhse panga lene se pehle ek
baar mere baare me jaan liya hota senior 1 bohat gusse me bola aur uska
jawaab Sameer ne hanste hue diya
Sameer:- sab jaanta hun tumhaare baare me jab college join kiya tha tabhi
maine intelligent seniors aur gunda type seniors ka sara information nikaal liya
tha tum log gunda type senior ke category ke ho tera naam Pratap hai tere saath
waala ka Ramesha aur tumhaare saath jo madam ji hai inka naam Mira
Pratap:- seniors se bolne ka tameej yahi hai tera rook abhi sikhaata hun tujhe ye
bolkar Pratap aage badhkar Sameer ko thappad maarne ke liye haath uthaata
hai lekin Sameer uska haath bich me rok kar kehta hai
Sameer:- maine pehle hi kaha tha maine tumhaara saara bio data nikaal liya hai
tum sab ki age mujh se kam hai kuch months se bas 1 class jyaada ho aur tujhe
respect chahiye bol kis baat ke liye respect karu naa tu padhne me accha hai
naa tu kisi se accha behave karta hai to kya tu gunda hai aur bigda hua hai iss
liye mujhe respect karna chahiye Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Pratap dusre
haath se Sameer ko ek jordaar thappad laga deta hai waha maahaul me shaanti
chhaa jaati hai jo log tamasha dekh rahe the unhe abb dar lag raha tha ki aage
kya hoga sabko bohat badi fighting hone ka aashanka tha Sameer Pratap ki taraf
gusse se dekhta hai jo Sameer ki taraf dekh kar hass raha tha Sameer ne bhi
achaanak ek jordaar punch Pratap ke face me maar diya pal bhar me Pratap ke
naak aur hoth se khoon behna suru hota hai aur wo karhaate hue jameen par gir
jaata hai ye dekh Ramesh Sameer ke saamne aata hai
Sameer:- aaja tu bhi maar khaa kar jaana abb ye tum gunda log ki formality hai ki
jab tak maar nahi khaate tab tak ladna band nahi karoge iske baad Sameer
Ramesh ko bhi buri tarah se maarne lagta hai kuch pal me Pratap aur Ramesh
dono hi jameen me lait kar karhaa rahe the waha maujood sabhi log chaunk
gaye the iss fighting se kisi ne ye expect nahi kiya tha ki ek junior iss tarah se 2
seniors ko maar sakta hai tabhi se tamasha dekh rahi Mira kehti hai
Mira:- tera ye himmat ki apne seniors ke upar haath uthaaye abhi Principal ko
bolkar tujhe iss college se rusticate karwaata hun itna keh kar Mira Principal
office chali jaati hai aur Sameer shaant Pratap aur Ramesh ko dekh raha tha
students ka saara bheed Sameer ko ghur raha tha jaise Sameer ne koi crime kar
diya ho kuch der baad Principal aate hai aur Sameer ko dekh shocked ho jaate
hai aur kehte hai
Principal:- Sameer ye kya hai abb to roj tumhaara complaint aa raha hai chhuti
ke baad apne dad ke saath mere office me milna itna keh kar Principal chale
jaate hai lekin unki baat ka Sameer par koi asar nahi padta wo kuch bhi parwaah
na karte hue class ki taraf jaane lagta hai aur picche picche Rajesh Karan Priya
aur Divya aa rahe the jo Sameer ko aise dekh buri tarah shocked ho rahe the aur
sabhi ke dimaag me alag alag khayaal aa raha tha class me pahunch kar
Sameer aur Rajesh apne seats par baith jaate hai kuch students jo Sameer ka
fight dekh chuke the wo Sameer ko ghure jaa rahe the Sameer isse bohat irritate
ho chuka tha wo kuch kehne hi waala tha ki Khanna sir aa gaye sir padha rahe
the Sameer padhne par focus kar raha tha aur kuch students padh rahe the
baaki ke students Sameer ko ghurne par busy ho gaye the sir ko bhi thoda ajeeb
lagta hai kuch students ka Sameer ko ghurna lekin wo ignore karke padhaane
me busy ho jaate hai jab lecture khatam hota hai aur sir chale jaate hai tab
Sameer utth kar class ke front me aa jaata hai aur kehta hai
Sameer:- (in irritated voice) I would like to ask some questions to those stupids
who arre continiously starring at me tum logo ka problem kya hai aise kyu ghoor
rahe ho jaise khaa jaoge ek normal baat ke liye aise kyu react kar rahe ho jaise
maine kisi ka murder kar diya hai 2 logo ko hi to maara tha jo wo log deserve
karte the issme kaunsa badi baat ho gayi thodi na film main hero ki tarah 10 logo
ko maara hai bas 2 ko hi to maara tha aur tum log bas mujhe ghoore hi jaa rahe
ho tum log apne kaam se matlab rakho fir se meri taraf ghoorne lage to accha
nahi hoga Sameer ne bohat hi gusse me ye baat kaha Sameer ki baat se kuch
students ko gussa to aaya lekin koi kuch nahi keh rahe the aur tab jaakar un logo
ne Sameer se apna dhyaan hataya Sameer bhi apne seat par baithne ke liye
waapas aa hi raha tha ki Karan ki baat ne usko fir se rok diya
Karan:- tujhe ye badi baat nahi lag raha tujhe pata bhi hai tune kya kiya hai
seniors ke upar haath uthaaya aur wo bhi itni chhoti si baat ke liye abb to
bhagwaan hi tujhe bachaye seniors aur college administration se? Karan ka ye
baat sunne ke baad Sameer gusse me uske pass gaya aur hanste hue kaha
Sameer:- tu na jindagi bhar darpok hi rahega tu saala andar se darpok hai ye
baat to main jaan chuka hun lekin baahar se dikha raha hai ki tere pass himmat
bohat hai (abb serious hote hue) chal abb teri baat ka jawaab deta hun wo
seniors hue to kya hua jo mann me aaye wo karenge kya tum log bhi jaante ho
ragging banned hai lekin ye aaj bhi chal raha hai iske jimmedar kaun hai tu aur
tere jaise darpok students tum logo ka dar hi unko badhaawa deta hai ragging ke
liye aur tum logo ka unke jaise ghatiya logo ko sir bulaana mujhe bhi to bata tu
unko sir kyu bulaa raha tha unhone aisa kaun sa accha aur respectable kaam
kiya hai jisse unko sir kahe main aisa keh raha hun iska ye matlab nahi ki main
seniors ka respect nahi karta main bhi respect karta hun lekin sirf unko jo respect
deserve karte hai naaki Pratap aur Ramesh jaise ko Pratap aur Ramesh ko mera
laat aur ghusa respect karega jo seniors acche hai jo padhne me acche hai jinke
behavior acche hai jinse hame kuch sikhna chhiye unn sabki main bohat respect
karta hun aur sirf unhe hi sir yaa fir respectable naam se bulaata hun aur tera
aakhri sawaal ka jawaab ye koi chhoti baat nahi thi mere liye uske haath se
thappad khaana mujhe apne self respect se bohat pyaar hai aur mera self-
respect unn kamino ke liye kam ho jaaye ye main bilkul bardaasht nahi karunga
tujh jaisa darpok hi kisi se vina koi wajah maar khaane par bhi chhup baithta hai
agar mere galti ke bina mujhe kisi ne maara to uska khair nahi shaayad sab kuch
tu samajh gaya hoga aur han jaate jaate ek baat keh deta hun mujh se kabhi
ulajhne ki koshish kabhi mat karna itna kehne ke baad Sameer ek najar gusse se
Karan aur Priya par daalta hai aur apni seat ki taraf chal deta hai picche se sabhi
students taali baja rahe the iss baat se Karan aur Priya ka gussa bohat badh
jaata hai lekin kuch nahi kar paate Sameer apna saara gussa nikaalne ke baad
shaant ho gaya abb koi usko ghur nahi raha tha baaki ke lectures bhi issi tarah
aaram se kat jaata hai jab college chhuti hota hai tab Sameer ghar jaa raha tha ki
wo apne papa ko dekh kar chaunk jaata hai aur kehta hai
Sameer:- papa aap yaha? koi kaam tha kya?
Mr Sharma:- pata nahi lekin issi wakt tere Principal ne bulaaya tha? issi liye aa
gaya college shaayad kal waali baat ke liye bulaaye honge? Mr Sharma ki baat
sunne ke baad Sameer saari baat samajh jaata hai aur apne papa se kehta hai
Sameer:- han aur kuch extra baat bhi
Mr Sharma:- extra baat se tera kya matlab kya aaj bhi kisi se ladayi kiya hai kya?
Mr Sharma ne thoda sa hairaani me Sameer se sawaal pucchte hai
Sameer:- chaliye abhi Principal sir ki office me wahi pe aapko sabhi sawaalo ka
jawaab mil jaayega Mr Sharma bhi kuch nahi kehte wo bhi Sameer ke saath
chalte hai Principal office me Principal office me pahunchne ke baad Sameer
gate par aakar kehta hai
Sameer:- may I come in sir? Principal bhi bohat der se Sameer ka hi intejaar kar
rahe tha
Sameer:- yes Sameer come in tumhaare saath tumhaare papa bhi aaye hai na
Sameer:- yes sir itna keh kar Sameer aur uske papa andar jaate hai Mr Sharma
Principal ko dekhne ke baad chaunk jaate hai aur kehte hai
Mr Sharma:- Rakesh tu aur yahan? Mr Sharma ki chaunkne se Principal thoda
muskuraakar kehte hai
Principal:- han Sanjay main yaha iss college me Principal hun bohat time ho
gaya tujh se mile hue mujhe to laga tha ki kahi tu mujhe bhul to nahi gaya lekin
tujhe main yaad hun (Mr Sharma ka pura naam Dr Sanjay Sharma hai)
Mr Sharma:- kya baat kar raha hai tu main tujhe nahi bhula aur naa hi kisi dost
ko ulta tu hi out of contact ho gaya tha aur aaj iss roop me yaha mil raha hai
Principal:- kuch problems aa gaya jisse mujhe ye town chhodna pada mobile bhi
chori ho gayi jisme tum logo ka contact tha baad me jab yaha aaya to tum log
apni life me settle ho gaye the tu to bada Dr ban gaya yaar socha tum logo ko
main yaad bhi hun yaa nahi lekin aaj iss tarah se milenge ye socha nahi tha
Mr Sharma:- tu bhi na kabhi nahi badla yaar kaise soch liya ki main apne kisi
dost ko bhul sakta hun (kuch sochte hue) chal chhod ye sab baatein baad me
karenge abhi jis kaam ke liye aaya hun wo kar lete hai so Mr Rakesh mujhe yaha
aapke college me kyu bulaaya gaya hai? Mr Sharma ne muskuraate hue puccha
lekin Principal thoda serious hokar jawaab dete hai
Principal:- socha nahi tha yaar itne dino baad iss tarah se milenge maine tujhe
tere beta ki kartut ke baare me bataane ke liye bulaaya hai? Sameer jo thoda dur
khada hokar inki baato ko khush hokar sun raha tha abb Principal ki baato se
uska chehre ki rang badalne laga usko Principal ki baatein accha nahi laga wo
kuch bolta isse pehle hi Mr Sharma kehte hai
Mr Sharma:- kaisa kartut kal isne mujhe jo bhi bataya usse to mujhe isse koi
problem nahi Mr Sharma bhi abb serious ho gaye aur mudde ki baat karne lage
Principal:- pata nahi kal isne kya bataya tujhe lekin baat kal aur aaj dono ki hai
khaas kar aaj ki bas tujhe itna kehna chahta hun ki tera beta galat raaste me jaa
raha hai apne seniors par haath uthaa liya aur kisi ki baat nahi sunta yaha tak ki
isne apna teacher aur mera bhi disrespect kiya agar aisa hi chalta raha to ye ek
din puri tarah se bigad jaayega iss liye tujhe abhi wakt rehte iske baare me bata
raha hun sambhaal le isko abhi to ek dost ki haisiyat se ye keh raha hun lekin
agar ye fir bhi na maana to Principal ke naate isko rustigate karna padega
college aisi agressive students ko bardaasht nahi kar sakta Principal ki baat
sunne ke baad Mr Sharma Sameer ki taraf ghurne lagte hai aur aankho se pucch
rahe the ki kya ye sach hai? Sameer ko iss baar Principal ki baaton se bohat
gussa aata hai aur wo bhi gusse me jawaab deta hai
Sameer:- mujhe bhi nahi padhna aisi college me sir aapko kya ghamand hai apni
college ke baare me aapko to pata hai ragging banned hai college me lekin wo
senior ragging le raha hai tab kaha jaati hai aapki third class administration jo inn
seniors ko punish nahi kar sakta maine ladayi ka suruwat nahi kiya unn logo ne
kiya iss liye maine bhi acche se maara aur maine jo kiya bilkul sahi kiya self
respect hi mere liye sab kuch hai aur unn kameeno ki wajah se main apne self
respect kabhi girne nahi dunga aur sir aap ne to mere papa ko bula liya kya
aapne unke parents ko bulaa kar unhe punish karne ka socha hai nahi aur aap
kar bhi nahi paayenge yaa to aap khud nahi karna chaahte yaa aap nahi kar
sakte bas new admissions ko hi apne ghatiya rule bana kar pareshaan karo aur
seniors ko bilkul free chhod do sir rule me transparency hona chahiye jo juniors
ke liye hai wo seniors ke liye bhi hona chahiye aur himmat hai to ragging rok kar
dikhaiye tab kisi ko apne college ki rules samjhaaana sir behtar yahi hoga ki aap
mujhe college se nikaal dijiye agar aap apne rule ko acche se regulate nahi kar
sakte to agar main raha aur kisi senior ne mera ragging lene ki koshish kiya to
usko aapke hi office me laakar maarunga main jyaada baat nahi karna chahta
main jaa raha hun apna faisla bata dijiye papa ko main ghar jaakar pucch lunga
ki mujhe iss college me padhna hai yaa nahi itna kehne ke baad Sameer gusse
se Principal office se nikal jaata hai aur ghar ki aur bike se chal deta hai lekin
raaste bhar picchle do dino se uske saath jo ho raha tha bas ussi ke baare me
soch raha tha
Sameer:- (in his mind) ye do dino se mere saath kya ho raha hai pehle to naa hi
mera kisi ke saath ladayi hua tha aur naa hi main kabhi gussa hota tha lekin do
din se to har kisi ke saath jhagada ho raha hai pehle uss Karan se aur fir seniors
se aur abb to Principal se wo bhi papa ke saamne (thoda darte hue) pata nahi
papa shaam ko kya kahenge ye jo bhi ho raha hai uss Priya ki wajah se ussi ki
wajah se aur uske liye mera gussa ki wajah se ye sab ho raha hai meri life me
manhoos hai wo uski entry se life me bohat gadbad hone laga hai issi tarah aaj
aur kal ki saari ghatna sochte hue Sameer apna ghar pahunchta hai uska mood
bohat kharab tha aur chehre se hi gussa aur pareshaani ka andaaja lagaya jaa
sakta tha wo apnae maa ki sawalo se bachne ke liye sar dard(headache) ka
bahana bana kar apne room me jaata hai shaam me jab Mr Sharma lautte hain
to Mrs Sharma ke saath Sameer ke room me aa kar Sameer se baat karte hain
Mr Sharma:- tu kabse itna gussa hone laga? hamesha tujhe haste mushkuraate
baat karte dekha hai aur aaj to tu kuch alag hi rang me tha? Mr Sharma ki aawaj
me gussa aur hairaani dono tha
Sameer:- kya karu papa baat hi kuch aisa tha jisse gussa aa gaya Principal sir
rusticate ki dhamki de rahe the bina puri baat jaane jabki mera galti usme thaa hi
nahi galti unn do seniors ka tha unke upar koi action nahi aur mujhe rusticate ka
dhamki mil raha tha aur wo bhi aapke saamne aur sir ko apni college rule ka bhi
ehsaas dilaana tha Sameer ki aawaj me abhi bhi gussa tha lekin wo apne papa
ke saamne dhire se bol raha tha
Mr Sharma:- tera baat galat nahi hai lekin yahi baat tu unhe acche se samjha bhi
to sakta tha na ham sab bhi wahi baat ka discuss kar rahe the na
Sameer:- jab wo samjhe tab samjhaaunga na wo baat ko samajhne ki koshish hi
nahi karte kal main unhe apni baat samjha raha tha lekin unhone aur Khanna sir
dono ne ulta mujhe hi gussa dilaa diya aur papa agar main waha se iss tarah se
nahi nikalta to pata nahi gusse me mere mooh se kya kya nikalta control nahi kar
paa raha tha apne gusse ko sorry papa afar aap ko mera harkat accha nahi laga
ho to Sameer ne pehle ki baat thoda gusse me kaha aur aakhiri ki baat maafi
maangte hue
Mr Sharma:- yahi to mujhe samajh nahi aa raha tujhe itna gussa kyu aa raha hai
pehle to aisa kabhi nahi hua?
Sameer:- ye baat to mujhe bhi samajh me nahi aa raha lekin kal se apna gussa
ko control nahi kar paa raha hun abb unn logo se dur rehne ki koshish karta hun
tab shaayad sab kuch thik ho jaaye aur papa kal se main college jaa sakta hun
yaa nahi Sameer ne baat ko badal diya
Mr Sharma:- han jaa sakta hai bohat samjhaane ke baad maaana Rakesh aur
tujh se ek baar aur baat karna chahta hai
Sameer:- lekin aap ko kya jarurat tha unhe samjhaane ki jo decision lete lene
dete agar mujhe college se nikaal diya hota to bhi kuch fark nahi padta koi bhi
college me admission le leta Sameer ko ye bilkul bhi accha nahi laga ki Mr
Sharma ne uske liye Principal ko samjhaaya
Mr Sharma:- Sameer abhi se itna ghamand aur gussa thik nahi hota tumhe kya
lagta hai rusticate hona accha baat hai maan lo koi college tumhe agar
admission deta bhi hai to uss college me tumhaari image kuch alag hoga sab
sochenge ki tum undisciplined student ho jisse college se nikaal diya gaya hai
aur hamaare baare me to socho hame kaisa lagega jab hamaare beta ko
discipline ki case me college se nikaal diya jaayega jab dusro ko ye baat pata
chalega tab hamaara izzat ka kya hoga bhale hi koi kuch nahi kahe aapas me
baat to jarur karenge aur das(10) tarah ki baat karenge Mr Sharma Sameer ko
samjha rahe the Sameer ko bhi Mr Sharma ki baat abb thik lagne laga lekin wo
abhi iss baare me kuch baat karna chahta tha wo jaan gaya tha ki Mr Sharma
usse naraaj hai
Sameer:- sorry papa kal se main aapko shikaayat ka koi mauka nahi dunga abhi
aap thak gaye honge jaakar rest kijiye Sameer ne abhi iss baat ko khatam karna
hi thik samjha Mr Sharma Sameer ko abhi bohat kuch samjhaana chahte the
lekin Sameer ki iss baat se kuch nahi keh paaye wo aur Mrs Sharma chale gaye
apne room
Next day
Sameer aaj thoda normal hai subah me usse unn do seniors nahi dikhe aur dusri
taraf Karan aur Priya bhi shaant the Sameer aaj padhne me pura focus kar raha
tha aur aaj kuch accha mehsoos kar raha tha picchle do din se kuch der baad
lunch break hota hai aur jab Sameer aur Rajesh canteen se lunch karke aate hai
to pata chalta hai ki class suru hone me abhi 15 minutes baaki hai wo dono park
ki taraf chal dete hai park me pahunchte hi Sameer dekhta hai ki Karan Priya aur
Divya ek jagah par baithe hai aur unse kuchh dur par Shruti jab Shruti Sameer ko
dekhti hai tab haath hilaa kar ishaara karte hue kehti hai
Shruti:- hi Sameer yaha baitho na kuch seats khaali hai yaha Shruti ki baat Karan
aur Priya bhi sunte hai aur wo dono Sameer ki taraf ghur kar dekhte hai Sameer
bhi ignore karte hue chala jaata hai Shruti ki taraf Shruti ke pass pahunchne ke
baad
Sameer:- hi Shruti kaisi ho
Shruti:- main to thik hun tum bataao kal Principal ne tumhe kya kaha? Shruti ki
baat sunne ke baad Sameer thoda chaunk kar kehta hai
Sameer:- tumhe kaise pata ki kal main Principal ki office me gaya tha
Shruti:- kal Principal ne hi to kaha tha ki chhuti ke baad mujhse milna jab tumne
seniors ko dhoya tha
Sameer:- oh to ye baat hai
Shruti:- lekin tumne bataya nahi kal Principal ne kya kiya koi punishment mila kya
tumhe Sameer Shruti ki iss baat ka jawaab deta isse pehle hi Rajesh bich me
bola
Rajesh:- tumhe kya lagta hai koi Sameer ko punish de sakta hai isse baat me aur
ladayi me koi nahi jeet sakta kal isne seniors ki hi nahi Principal ka bhi band baja
diya aur Principal kuch nahi kar paaya
Shruti:- wow how cool Sameer tumhe pata hai mujhe to sabse bada khushi tab
mila jab tumne hamare class ki comedian ka bolti band kar diya bohat comedy
kar raha tha lekin tumhaari ek hi baat se darkar chup ho gaya Sameer bhi Shruti
ki iss baat par muskuraa raha tha lekin uski chehre ki muskuraahat kuch hi pal
me gaayab ho gaya jab usne Karan ka jawaab sunaa
Karan:- ae ladki tu mera majaak udaana band kar aur chup ho jaa samjhi tabse
tera bakwas sunn raha hun agar ek baar aur mere baare me kuch bola na to
mujh se buraa koi nahi hoga Karan ki baat ne Sameer ki muskuraahat ko gussa
me badal diya
Sameer:- tu abb mujhse park me bhi pitna chahta hai kya agar jyaada bakwas
kiya na to tera bhi wahi haal karunga jo kal unn seniors ka kiya tha (Shruti se
thoda aage aakar) Shruti tak pahunchne ke liye main tere aur Shruti ke bich me
deewar hun lekin ye deewar tujhe bas rokega nahi maarega bhi Sameer jo kuch
der pehle chup tha abb gusse me garaj uttha Sameer ka gussa dekh Karan bas
itna hi bola
Karan:- tujhe to baad me dekhunga itna keh kar Karan chup ho gaya lekin
Sameer thoda gusse me unki taraf chal diya Karan aur Priya Sameer ko apni
taraf aata dekh kuch nahi samajh paa rahe the aur thoda ghabra bhi gaye the
Sameer Karan aur Priya ke saamne jaakar Priya ke haath se mobile cheen leta
hai aur ek selfie leta hai aur waapas mobile Priya ko dekar kehta hai
Sameer:- maine tumhaare mobile me ek selfie liya hai iss comedian ko
whattsapp ya facebook kisi me bhi bhej do (Karan ki taraf dekhte hue) aur han
comedian kya kaha tha tune mujhe baad me dekhega jab Priya tujhe message
bhej degi tab baad me nahi kabhi bhi dekh sakta hai mera photo itna keh kar
Sameer waapas apne group ki taraf aata hai to dekhta hai ki Rajesh aur Shruti
Sameer ki iss harkat par hass rahe the aur Karan aur Priya gusse me laal ho
gaye the lekin kuch bolne ki himmat nahi ho rahi thi unki gusse me laal aankho
ne Sameer ko sabak sikhaane ka soch liya tha aur yaha se shuru hota hai inka
the hatred and revenge game Karan ka majaak udaane ke baad Sameer haste
hue apni team ko join karta hai aur kuch der me wo sab apni class ki aur chale
jaate hai idhar Karan aur Priya Sameer aur Shruti ko picche se gusse se ghoor
rahe the
Karan:- kuch jyaada hi hawa me udd raha hai lagta hai iska pankh kaatne ka
samay aa gaya hai
Karan ki aawaj me Sameer ke liye jamaane bhar ka gussa aur nafrat tha
Priya:- hmm sahi keh rahe ho seniors ko pitne ke baad to iska attitide aur bhi
badh gaya hai jab bhi hamaare saamne aata hai kuch na kuch bolkar jaata hai
kabtak ye bardaasht karte rahenge
Karan:- lagta hai badla lene ka time aa gaya hai isse aisa sabak sikhaayenge ki
jindagi bhar yaad rakhega
Priya:- bas Sameer ko hi nahi Shruti ko bhi sabak sikhaana hoga ye bhi kuch
kam nahi hai isne bhi hamaara majaak udaaya hai aur isse ham se kya lena
dena jo bich me ghus rahi hai
Karan:- sahi keh rahi ho kuch plan karte hai jisse ye aagehamse ulajhne ki
himmat nahi karenge Divya bohat der se Karan aur Priya ki baat sun rahi thi abb
usse control nahi hua tab wo kehti hai
Divya:- band karo tum dono apna bakwas ye kya badla lene ki baat kar rahe ho
choti choti par badla lene ka soch rahe ho
Priya:- tu chup hi reh aur apna logic apne pass rakh apna beizzati hote dekhna
teri aadat hai main apna beizzati bilkul bhi bardaast nahi karungi Sameer ko
apna kiye ki sazaa bhugatna hoga
Divya:- aur mujhe bataayegi Sameer ne aisa kya kar diya ki tum log usse apna
badla lena chahte ho?
Priya:- tere paas ko akal nahi hai issliye tujhe kuch samajh me nahi aata tu to
hamaare saath hi rehti hai fir bhi pucch rahi hai ki Sameer ne kya kiya tere pass
aankh nahi hai kya jo tujhe ye nahi dikhta Sameer kaise hamse jo mann me aaya
wo keh kar chala jaata hai sabke saamne beizzat karta hai Priya iss baat ko
thoda gussa me baat kar rahi thi lekin ye gussa Divya ko shaant karaane ke liye
kaafi nahi tha
Divya:- mere paas aankh nahi hai iss liye main dekh nahi paayi lekin tumhaare
paas to yaadasht(memory) nahi hai jo tum log yaad nahi rakh paa rahe ho ki
Sameer ne jab bhi tum log ka majaak udaaya uss time baat ko tum log hi start
karte the Karan baar baar Sameer ko kuch na kuch kehta aur Sameer aake
Karan ko acche se jawaab deta (Priya se) aur tujhe accha nahi lag raha ki
Sameer sabke saamne tum logo ko apne tarike se reply deta hai lekinye baat
yaad kar jab usne indirectly hi sahi lekin tum dono ko ragging se bachaaya tha
agar Sameer ne senior ko maara nahi hota na to to tujhe tera task karna padta
abb ye mat kehna ki tujhe kisi ko kiss karne me beizzati mehsoos nahi hota
Divya ne iss baar gussa me Priya se kaha Priya ko bhi Divya ki baat thoda thoda
sahi lagta hai lekin wo abhi bhi maan na nahi chahti thi
Priya:- lekin usne to khud ko bachane liye seniors par haath uthaaya na iss me
hame bachaane ki baat kaha se aa gayi
Divya:- tu baat ko samajhna hi nahi chahti wo tera dost hai kya jo tera help
karega dost nahi hai fir bhi indirectly tera help ho gaya tujhe wo baat kabhi najar
nahi aayega tera dil aur dimaag me to Sameer ke liye nafrat bhar gaya hai aur ye
sab tu dekhegi kaise tu ne ek baar bhi usko thanks bola nahi tujhe uss me
acchayi dikhti hi nahi aur usne koi bura keh diya to chal padi Sameer se badla
lene aur ue bhi bhul jaati hai ki ladayi ka suruwat kisne kiya hai itna keh kar
Divya chup ho jaati hai Priya kuch nahi bolti aur Karan ko Divya ki ek ek baat par
gussa aa raha tha lekin wo show nahi karta iss chuppi ko tod kar fir Divya kehti
hai
Divya:- abb tum dono badla lene ka soch hi rahe ho to koi baat nahi jo marzi wo
karo lekin main tum dono ka saath nahi dungi aur mujhe nahi lagta Sameer se
tum dono itna aasani se badla le paaoge kahi tumhaara chaal ulta na pad jaaye
Divya ka bas itna hi kehna tha ki lunch break bhi khatam hota hai aur sab class
me chale jaate hai Sameer ko abb baaki ki lectures complete karne me koi
mushkil nahi hota wo dimaag ko shaant rakh teacher ki saari baat sunta hai aur
acche se padhne me dhyan deta hai college chhuti hone ke baad wo fir Principal
office me jaata hai baar baar Principal office me jaane se wo pareshaan ho gaya
tha usne soch liya ki wo aaj Principal se baat karke wo saara maamla clear
karega aur aage se wo Principal office nahi jaayega
Principal office me jaane ke baad
Sameer:- sir aapne papa ne kaha tha ki aap mujhse baat karna chahte hai
Sameer ne sidha mudde ki baat kiya
Principal:- kal tumhaare papa se baat karne ke baat maine decide kiya ki ek
aakhiri mauka deta hun abb se tumhaare khilaaf koi complaint nahi aani chahiye
Sameer:- ok sir thik hai main complaint ka koi mauka nahi dunga jab tak koi
mujhe pareshaan na kare agar fir koi mujhe ragging kare to chup nahi baithunga
aur sir aap Khanna sir ko bhi samjha dijiye jab first day unhone mera complaint
kiya tha tab mera galti kya tha? main class ko disrurb to nahi kar raha tha mera
mood off tha to lecture ko acche se attend nahi kar paa raha tha iss choti si baat
ko kheench kar unhone itna bada issue bana diya sir aapko yakin ke saath keh
sakta hun ki itna to talent hai mujhme ki ek do lecture chhutne ke baad bhi marks
par jyaada fark nahi padega aur college ko hamse marks aur result se hi matlab
hota hai aur main ek disciplined student hun aapne mera jitna bhi complaint suna
hai unn complaints me maine kabhi suruwat nahi kiya bas acche se jawaab diya
hai aur mujhe koi afsos bhi nahi in short main college padhne ke liye aata hun
lekin main majboor ho jaata hun aur aisa kuch aisa kar baith ta hun jisse aap
apne language me undiscipline kehte hai aapse vaada to nahi karunga ki mere
khilaaf koi complaint nahi aayega lekin itna jarur keh sakta hun ki main kisi bhi
lafde ka suruwaat nahi karunga Sameer ne bina dare confidently Principal ki
aankh me aankh daal kar keh diya Principal ko gussa to bohat aaya lekin wo
kuch nahi bole shaayad bolne ke liye kuch points nahi the aur bas Sameer ki
galti ka intejaar kar rahe the Principal ko kuch na bolta dekh Sameer pucchta hai
Sameer:- sir may I go now? Sameer ki iss sawaal ka jawaab Principal sar hilaa
kar jaane ko kehte hai Sameer Principal ke saath iss issue ko temporarily solve
karke apne ghar me chala jaata hai aur jaate jaate usne kuch dushman bana liya
tha(PratapRamesh Karan-Priya) jo abb Sameer se badle ka intejaar kar rahe the
dhire dhire din bitne lage sab kuch thik ho raha hai aisa sirf Sameer ko lag raha
tha seniors aur Karan shaant to the lekin badle ki bichaar abhi bhi unke dimaag
se nahi gaya tha bas sahi mauke ka intejaar kar rahe the Sameer ki class me
sabse dosti ho gaya tha Karan aur Priya ko chhod kar Sameer abb unhe puri
tarah ignore karne laga aur unki taraf koi dhyaan bhi nahi deta tha bas apne dost
aur study me busy rehta tha aise hi kuch mahine baad Sameer Shruti aur Rajesh
canteen me baithe the lunch karte hue lunch karte hue Shruti kehti hai
Shruti:- Sameer tumne notice kiya hai Karan aur uski team aaj kal ek dam shaant
ho gaye hai lagta hai bolna hi bhul gaye hame dekhne ke baad jab bhi hame
dekhte hai ek dam se khaamosh ho jaate hai accha sabak sikhaaya Sameer
tumne
Rajesh:- mujhe to ye tufaan se pehle ki shaanti lag rahi hai jab bhi wo hame
dekhte hai wo chup to rehte hai lekin unki aankhon me hamesha gussa rehta hai
lagta hai wo koi saazish ki planning kar rahe hai Sameer Rajesh aur Shruti ki
baat se badhne waali bahas ko rok kar kehta hai
Sameer:- cool down guys lunch karte wakt ye kaunsa bakwaas topic choose kar
liya khaane ki time me unke naam lekar mood off mat karo yaar unko jo karna
hai karne do wo jo bhi karenge unka jawaab ham apne tarike se denge jaise abb
tak dete aaye hai Sameer ka ye kehne ke baad ye fir koi iss topic par baat nahi
karta lunch ke baad Sameer aur uska dost fir se class ki taraf jaate hai jaha ek
hangaama unka wait kar raha tha class me pahunchne ke baad Sameer aur
Rajesh apni jagah par baith jaate hai kuch der baad teacher bhi aakar padhaane
lagte hai itne me Karan uth kar teacher se kehta hai
Karan:- sir kisi ne mera mobile chura liya hai? Karan ki iss baat par pura class
shock ho jaata hai
Sir:- tum itna yakeen ke saath kaise keh sakte ho ki kisi ne chori kar liya hai?
shaayad tumne hi kahi pe rakha ho aur bhul gaye
Karan:- nahi sir canteen jaate wakt maine mobile bag me rakha tha lekin abhi
nahi mil raha acche se check kar liya jaroor kisi ne chori kiya hai itna keh kar
Karan Sameer ki taraf dekhta hai aur Sameer bhi thoda thoda baat samajh jaata
hai
Sir:- to fir tumhe kis par shak hai?
Karan:- sir mujhe kisi par shak nahi hai lekin ek baar sabhi ki bag aur pocket
check karna padega
Sir:- ok thik hai (sabhi students se) main aakhiri mauka sabko deta hun abhi bhi
mauka hai agar kisi ne Karan ka mobile liya hai to usse lauta do agar pakde gaye
to Principal sir se complain kar dunga aage ki punishment wo karenge lekin koi
students reply nahi deta sabhi ko pata tha ki kisi ne chori nahi kiya aur uske baad
suru hota hai checking ka daur aur Karan ka mobile Sameer ki bag me mil jaata
hai Sameer ke saath saath sabhi students and teacher shocked ho gaye the
yaha tak ki Priya aur Divya bhi
Karan:- Sameer tumne mera mobile churaaya mujhe to yakin nahi ho raha tum
itna gir jaoge ki mera mobie hi churaa loge apni dushmani ke loye tumne mera
mobile churaaya tumse ye umeed nahi tha Karan ne bohat innocently kaha
Sameer ko abb sab baat samajh me aa gayi
Sameer:- abe kameene band kar apna acting sab jaanta hun main ye tera hi
kaam hai mujhe fasaane ki lekin koi baat nahi tera ye plan bhi fail ho jaayega
cctv footage se pata chal jaayega ki ye kiska kaam hai jisne mere bag me mobile
rakha hai Sameer ne gussa aur confident se kaha Sameer ka ye kehne ke baad
Karan ki khushi ki chamak achaanak gaayab ho gayi abb uske chehre me dar ki
bhaaw aane lage Karan Sameer ki baat sunkar bohat dar gaya sir ne bhi keh
diya tha ki aage ki punishment Principal karenge usse to aage kya hoga ye
sochkar abhi se dar lag raha tha kahi Principal usko college se nikaal to nahi
denge ye dar bhi ab usko sata raha tha apni iss harkat jab puri class ko pata
chalega to kitna beizzati hoga ye sab dar ki wajah se uska chehre ki rang ek dam
se badal gaya aur abb wo uss pal ko kosne laga jab usne Sameer ki bag me
mobile rakhne ki murkhata kiya tha Sameer ko fasane ki chakkar me khud hi fass
gaya Karan
Sir:- han ye thik rahega cctv ki help se pata chal jaayega kisne tumhaara mobile
chori kiya tha sir ne Karan ki taraf dekh kar kaha to Karan aur bhi dar gaya bas
himmat jutaa kar itna hi bol paaya
Karan:- sir mujhe yaad aa gaya galti se maine apna mobile Sameer ke bag me
rakh diya tha Karan himmat jutaa kar darte hue bas itna hi bol paaya abb sabhi
students Karan ko ghurne lagte hai isse Karan aur bhi ghabra jaata hai
Sir:- what? ye kya keh rahe ho abb tum? kuch der pehle tak to confirm hokar bol
rahe the ki kisi ne tumhaara mobile churaya hai lekin abb keh rahe ho ki tumne
khud hi apna mobile Sameer ki bag me rakha hai tumhe itni si baat bhi yaad
nahi? aur tumne sara class ko disturb kar diya sir ki gusse se bhari aawaj se
Karan aur bhi jyaada dar gaya shaaayad jindagi me pehli baar itna dar raha tha
wo bhagwan se bas ek hi dua kar raha tha ki iss baar bachaalo agli baar aisa
galti nahi karunga
Karan:- sir mera aur Sameer ka phone same model ka hai mujhe laga Sameer
ka mobile class me chhut gaya iss liye maine uska mobile uski bag me rakh diya
aur Sameer ki baat se yaad aaya ki wo to mera mobile hai thoda sa
misunderstanding ho gayi sorry sir Karan ne kuch soch kar ek idea nikaala
bachne ka Sameer ko uski baat thoda ajeeb lag raha tha lekin wo abhi kuch bolta
nahi
Sir:- tumhaara ye chhota sa misunderstanding ki wajah se dekho kitna time loss
ho gaya lectures ki dusro par ungli uthaane se pehle khud acche se confirm ho
jaau ki galti dusre ne hi kiya hai this must be your first and last mistake sir ye
baat keh kar fir se padhaane me busy ho gaye sabhi students dhire dhire lecture
ki taraf focus karne lagte hai Karan Sameer Priya Divya Rajesh aur Shruti ko
chhod kar Karan ko apna beizzati mehsoos ho raha tha aur uss pal ko kose jaa
raha tha aur baaki sabhi Karan ki iss harkat se shocked the kisi ne nahi socha
tha ki Karan aisa kar sakta hai kuch der baad lecture khattam ho jaata hai aur
Sameer utth kar Karan ke pass jaata hai aur kehta hai
Sameer:- college chhuti hone ke baad parking me mujhse milna aur bhaag mat
jaana tujhse kuch baat karni hai itna keh kar Sameer bina Karan ki baat sunne
waapas apni jagah par aakar baith jaata hai Karan bhi khaamosh hokar Sameer
ki baat suna lekin koi jawaab nahi diya aise hi college ki chhuti bhi ho jaati hai
Sameer Shruti aur Rajesh parking me pahunch kar Karan ka wait karte hai kucch
der baad Karan bhi sar jhuka kar aata hai saath me Priya aur Divya bhi thi jab
Karan Sameer ke saamne jaata hai tab Sameer jor jor se hasta hai aur kisi ko
iski wajah samajh me nahi aata sab Sameer ko dekh rahe the kuch der hasne ke
baad Sameer kehta hai
Sameer:- aise mat dekho main to iss Karan ki aaj ki harkat par hass raha tha ye
comedian laghbhag 2 months se shaant tha mujhe to pehle se hi laga tha ki ye
kuch na kuch jaroor karega lekin ye nahi socha tha ki ye aisi baccho waali harkat
karega (Karan ki taraf dekhte hue) little knowledge is dangerous ye to tune suna
hoga na lekin samajh nahi paaya iska matlab jab tujhe dusro ko fasaane ka idea
hi nahi hai to karta hi kyu hai ye sab pehle acche se sikh lena fir try karna
Sameer suru me to thoda hass kar baat karta hai lekin jald hi uski hassi ki jagah
gussa le leta hai Karan kuch nahi bol paa raha tha galti khud ka tha to kya bolta
kuch der ki khaamoshi ko todkar Sameer fir se kehta hai
Sameer:- aur kameene tu sir se bhi jhooth bol raha tha tera aur mera mobile ka
same model hai Sameer ki iss baat par sabhi fir se hairaan ho jaate hai aur
Karan ko ghurne lagte hai
Sameer:- chahta to tujhe wahi fasa sakta tha aur ye case Principal tak pahunch
jaata to wo pakka tujhe college se nikaal dete unhe bohat shaukh hai rusticate
karne ki waise main apne dushmano par jyaada daya nahi dikhaata lekin teri
career kharab ho jaayega ye soch kar last mauka diya hai Sameer itna keh kar
apne dosto se waha se nikalne ke liye aage badhta hai tabhi kuch soch kar
waapas Karan ki taraf jaaa kar kehta hai
Sameer:- dear comedian group ek baat kehna chahta hun abhi tak main bas tum
logo ki action ko defend kar raha hun kabhi maine panga ki suruwaat nahi kiya
lekin har baar band tum logo ki hi bajti hai lekin abb tum log hadd paar kar rahe
ho agar main attack baru to bach nahi paaoge jeena mushkil kar dunga itna yaad
rakhna itna keh kar Sameer style se goggle pehan kar waaha se nikal jaata hai
Karan aur Priya usko bas ghurte reh jaate hai Shruti apne car se nikal jaati hai
Karan aur Priya bhi gusse me nikal jaate hai Divya kuch der ke liye wahi khadi
rehti hai Divya ko aisa akela khada dekh Rajesh ko lagta hai yahi sahi mauka hai
Divya se baat karne ka aur wo Sameer se kehta hai
Rajesh:- Sameer main abhi aata hun itna keh kar Rajesh Divya ki taraf jaata hai
Sameer uska bike me baith kar wait kar raha tha aur jab usne Rajesh ko Divya ki
taraf jaate dekha tab mushkuraa kar khud se hi badbadata hai
Sameer:- (badbadate hue) ye Rajesh bhi na pyaar karne ke liye isko dushman
gang ki ladki hi mili koi baat nahi Divya baaki ke dono se to acchi hi hai Rajesh
Divya ke pass pahunch jaata hai aur siddhe mudde ki baat kehta hai
Rajesh:- excuse me kya main aap se ek sawaal punch sakta hu? Rajesh ki
aawaj sun Divya picche mudd jaati hai Rajesh ka yaha abhi dekhna aur uski
baato se Divya ko hairaani ho raha tha
Divya:- han pucchiye hairaani me Divya ne bas itna hi kaha
Rajesh:- aapki group ko main notice kar raha hun lekin aap to aapke do dosto se
bilkul alag hai unki tarah ghamand nahi dikhaati unki tarah kisi se pange nahi leti
mujhe to ye baat samajh me nahi aa raha ki aap unke dost kaise bane yaa fir wo
aapke dost kaise bane? Rajesh ne apna confusion apne sawaal ke jariye Divya
se puch liya
Divya:- Priya to meri bachpan ki dost hai aur aap jaisa soch rahe hai Priya ke
baare me wo waisi nahi hai bohat hi acchi ladki hai aur saath me thoda ghamand
aur ego koi uska majaak udaaye yaa fir koi usko gussa dilaaye wo uss baat ko
ego ke roop me le leti hai aur tab tak nahi chhodti jab tak badla nahi le leti aapke
dost Sameer baar baar uska majaak udaa raha hai aur ye baat usko bardaasht
nahi ho raha abhi tak to usne kuch kiya nahi hai lekin wo chup baithne waalo me
se nahi hai jab Sameer ko acche se beizzat na karde tab tak uska badla pura
nahi hoga agar ego aur ghamand ko hataa de to wo bohat hi acchi ladki hai aur
Karan ka to mujhe nahi pata wo to mujhe bohat ajeeb sa lagta hai aaj tak usse
koi baat nahi kiya hai maine usse wo to Priya ka dost hai iss liye Priya ka saath
rehti hun
Rajesh:- oh to ye baat hai udhar Sameer ka gussa aur nafrat dono badhne laga
hai Priya aur Karan ke liye Sameer ke pass ghamand to nahi lekin ego bohat hai
lagta hai inn dono ke ego ke chakkar me ek din bohat bada ladayi hone waala
hai Sameer to Priya aur Karan ko ignore kar raha hai usse ladne ka koi shauk
nahi hai han agar Priya aur Karan kuch karte hai to palatwar jarur karta hai aap
please Priya ko samjhaiye ki Sameer ko pareshaan na kare to hi maamla shaant
ho sakta hai warna bohat bigad jaayega Sameer ko to main bohat baar samjha
chuka hun lekin wo maanta hi nahi agar koi usse bematlab pareshaan kare to wo
kisi ka bhi nahi sunta
Divya:- same problem hai Priya ke saath jab wo koi baat thaan le to kisi ka bhi
nahi sunti maine bhi usko samjhaaya ki Sameer se dur raho lekin nahi usse to
badla chahiye isme Karan ka bhi haath hai jab pehli baar Sameer aur Priya ka
fight hua to wo Karan hi tha jisne Priya ko support kiya aur uss chakkar me maar
bhi khaaya aur Priya Karan ko ek saccha dost samajh baithi hai aur ussi ki
badhaawe me aa kar wo Sameer se badla lena chahti hai
Rajesh:- to bhagwaan hi bacha sakte hai dono ko koi picche nahi hat raha ek din
baat bohat bigad jaayegi iska mujhe abhi se pata chal raha hai Priya picche
hategi nahi aur Sameer bhi maanega nahi upar se Shruti bhi usko aur chaddha
rahi hai accha chalta hun bohat der ho gayi hai itna keh kar Rajesh waapas
Sameer ke pass aa gaya aur Sameer ki bike par baith gaya
Sameer:- itni der se kya kar raha tha? Sameer ne majaak me puccha
Rajesh:- Divya se baat karne gaya tha
Sameer:- aisa kya baat kar raha tha jo itna der lag gaya Sameer hasste hue bola
Rajesh:- koi khaas baat nahi yaar chal ghar chalte hai Rajesh ne chhidhte hue
jawaab diya pehle hi wo Sameer aur Priya ki wajah se pareshaan tha aur
Sameer ki hasskar baat karne se wo chhidh gaya lekin Rajesh ki baat se Sameer
par koi fark nahi padha wo apna majaak jaari rakhte hue bola
Sameer:- oh sorry maine bhi kya pucch liya abb lovers ke bichh bohat saari
baate hoti hai abb har baat to bataai nahi jaa sakti lekin yaar tujhe dushman
group ki hi ladki mili pyaar karne ke liye Sameer to majaak me ye sab keh raha
tha lekin Rajesh Sameer ki baat se shocked aur gussa dono ho gaya
Rajesh:- kya main aur Divya pyaar karte hai ye kya bakwaas kar raha hai aur ek
baat samajh le wo tere dushman hai mere nahi abb bakwaas band kar aur ghar
chal Rajesh ne iss baar bohat gusse me jawaab diya pehle hi wo bohat
pareshaan tha aur Sameer ka majaak usse sehan nahi ho raha tha Sameer ko
bhi ehsaas ho gaya ki usne kuch jyaada hi majaak kar diya hai Rajesh ka gussa
dekh usne shaant rehne me hi bhalaayi socha aur nikal gaya apne ghar ke liye
Sameer aur Rajesh to ghar jaa rahe the lekin wo dono iss baat se puri tarah
anjaan the ki koi unke khilaaf badle ki saazish rach rahe the Pratap Ramesh ke
ghar me aaya tha aur baat karte karte dono Sameer ki baat par aa gaye
Pratap:- yaar uss Sameer ne to pura college ke saamne hamaare izzat kharaab
kar diya abb to juniors bhi hame aankh dikhaane lage hai
Ramesh:- han yaar pure college ke saamne ham par haath uthaaya aur Principal
ne bhi kuch nahi kiya aakhir hai kaun wo ladka
Pratap:- wo iss sahar ke sabse famous Dr Sanjay Sharma ka beta hai uske paas
paise ki koi kami nahi issi wajah se shaayad Principal unhe nahi nikaal paaya
Ramesh:- iss liye itna ucchal raha hai hame maarne ke baad to uska himmat aur
bhi badh gaya hai college me celebrity ki tarah behave kar raha hai jaldi hi uska
ghamand todenge aur bataayenge ki senior se panga lena kitna bhaari padd
sakta hai aut tabhi college me hamaara izzat badhega
Pratap:- paise aut taakat se to ham uska kuch bigaad nahi sakte ek plan banana
padega jisse ham apna badla le paayenge
Ramesh:- lekin kya plan banayenge yaar mujhe to kuch samajh me nahi aa raha
Pratap:- samajh me to mujhe bhi nahi aa raha ham kya karna hai kuch sochte hai
shaayad kuch idea nikal jaaye
Ramesh:- mujhe nahi lagta ham dono koi idea nikaal paayenge uske khilaaf abb
ek hi raasta najar aa raha hai jab wo koi galti karega yaa fir kamjor padega tab
ham uske khilaaf kuch karenge
Pratap:- han ye sahi rahega ham uski galti ka wait karenge aur fir usko sabak
sikhaayenge kabhi na kabhi to kuch galti karega hi wo hame ek sher ki tarah
kaam karna chahiye jo shikaar karne se pehle ek dam shaant rehta hai aur jab
mauka milta hai tab wo dahaad kar apne dushmano ka shikaar karte hai
Pratap aur Ramesh ki aankho me Sameer ke liye gussa aur nafrat tha aur dil me
badla lene ka iccha aise hi fir se din bitne lage sabkuch fir se shaant ho gaya tha
Karan Pratap aur Ramesh ka Sameer ka badla lene ka iccha chhod kar Pratap
aur Ramesh to ekdam shaant the wo kuch bolte to nahi the lekin sahi mauke ka
intejaar kar rahe the lekin unhe aisa koi mauka nahi mila aur dusri taraf Karan to
badle ki aag me har pal jal raha tha lekin usse to kuch samajh me hi nahi aa raha
tha ki kya kare kaise badla le agar thodi si bhi galti ho gayi aur Sameer ko pata
chal gaya to kya hoga ye baat usse acche se pata tha wo bhi ek accha sa plan ki
intejaar me tha jo usse kabhi nahi milne waala hai aur Priya picchle kuch dino se
ho rahi jhagde ko bhul kar sirf apne padhaayi par dhyaan de rahi thi Sameer se
badla lene ka khayaal usne apne dimaag se nikaal diya tha lekin usse kya pata
tha ki aane waale dino me uski aur Sameer fir se jaani dushman ban jaayenge
lekin uski aur Karan ki dosti me koi kami nahi aaya tha wo dono abb bhi ek acche
dost the iss bich Rajesh aur Divya bhi acche friends ban gaye the kabhi kabhi
dono college me baat kar lete the aur koshish karte the ki Priya aur Sameer ke
bich koi ladaayi na ho Priya ka Sameer se badla lene ka khayaal apne dimaag se
nikaal lene ke baad ye dono kuch pal ke liye kaaamyaab to rahe lekin ye tufaan
se pehle waale shaanti tha pata nahi aane waale tufaan me kitna kuch tabah
hone waala tha aur ye log uss tufaan se nikal bhi paayenge ya nahi aise hi ek din
Sameer Rajesh aur Shruti canteen me baithe the tabhi Shruti kehti hai
Shruti:- Rajesh tumse ek baat karna tha mujhe? Shruti ki baat par ek pal ke liye
Sameer aur Rajesh dono hi shocked ho gaye ye first time tha jab Shruti ne
directly Rajesh se baat kiya ho wo sirf Sameer se hi baat karti thi
Rajesh:- han kaho
Shruti:- mujhe lagta hai tumhe Divya se dosti nahi karni chahiye Shruti ne sidha
mudde ki baat kiya lekin Shruti ki iss baat se Rajesh shocked aur gussa dono ho
gaya
Rajesh:- aur wo kisliye? Rajesh ne bhi gusse me jawaab diya
Shruti:- simple baat hai wo hamaara dushman ki friend hai aur tum hamaare
dushmano se friendship karo ye accha nahi hai kya pata wo tumhaara istemaal
kar rahe ho to samajh gaye na tum ussse abb dosti nahi rakhoge Shruti ne
hukum dete hue kaha jisse Rajesh ki gussa ki koi sima abb nahi raha wo bhi
gusse me jawaab deta hai
Rajesh:- nahi mujhe kisi ki salah ki jarurat nahi hai aur tum bhi ye baat acche se
sun lo main kisi ke kehne par Divya se friendship nahi todunga agar tum dekh
nahi sakti to aankhe band karlo sun nahi sakti to kaan band karlo aur agar
bardaast nahi kar sakti to hamse dur chali jao Rajesh ki baat se hi pata chal raha
tha ki wo kitna gussa me tha lekin ye gussa kaafi nahi tha Shruti ko rokne ke liye
Shruti:- agar tum uss ladki se dosti rakhoge hi to thik hai tum hamaara group
chhod do ham nahi chahte ki hamaare group me koi gaddar rahe Shruti ki baat
sunkar bohat der se shaant raha Sameer bhi chaunk gaya wo kuch bolne hi
waala tha ki gusse me tilmilaaya Rajesh ne bol diya
Rajesh:- group kaun sa group main iss koi group nahi maanta main to bas
Sameer ka dost hun naaki tujh jaise chipku ladki ka mujhe tujhse koi matlab nahi
main to bas Sameer se baat karta hun agar isse tujhe koi problem hai to mujhse
koi parwah nahi mujhe jo accha lagega wo karunga aur ek baat sunle main Divya
aur Sameer kisi se bhi apna dosti nahi todunga chaahe tu jitna bhi jor laga le
Rajesh ki iss baat se Shruti ko bohat gussa aaya aur wo apna insult bhi mehsoos
kar rahi thi abb wo Rajesh ko chhod Sameer se kehti hai
Shruti:- Sameer tum chup kyu ho dekho ye kabse bakwaas kiye jaa raha hai aur
tum ho ki sabkuch chup hokar sun rahe ho Shruti ko laga ki Sameer uski baat
sunega lekin Sameer ne usse jo kaha wo Shruti umeed nahi kar rahi thi
Sameer:- main kuch nahi bolne waala tum dono ki problem hai khud solve kar lo
main kisi ki baato me dakhal andaazi nahi karta aur waise bhi Rajesh sahi hai wo
Divya ka friend hai to kya problem hua Karan aur Priya ka to nahi hai na aur
maan lo Divya bhi hamaare dushman hai to bhi mujhe kuch problem nahi main
dushmano se darta nahi unka saamna karta hun tum aur Rajesh dono mera
friend ho aur tum dono ke fight me main nahi kisi ka saath dunga naahi kisi ko
kuch kahunga apna matter khud solve karo Sameer ki baat se Rajesh bohat
khush hota hai to Shruti ko bohat gussa hota hai Rajesh ko lag raha tha ki usse
sach me ek saccha dost mil gaya hai to Shruti apne insult bardaast nahi kar paa
rahi thi kuch time ke liye koi kuch nahi bolta kisi ke pass bolne ke liye kuch bacha
hi nahi tha issi tarah kuch der baad lunch break bhi khatam ho jaata hai Sameer
aur Rajesh utth kar class ki taraf chalte hai lekin Shruti bas gusse se usko picche
se ghurti rahi uski aankhein gusse se ekdam laal ho gaye the bas wakt ko hi pata
tha Shruti ka ye gussa kya tufaan laane waale hai jisse sabhi ki life me bohat
asar padne waala hai aur yahi Sameer ko bhool karne par majboor kar dega abb
wo bhi utth kar class ki taraf jaane hi waali thi ki picche se ek ladki ki aawaj ne
usse rok diya
Ladki:- Shruti itna gussa kyu hai yaar? ladki ne Shruti ki laal aankhein aur uski
chehre ko dekh kar puccha
Shruti:- kuch nahi Neha bas chhoti si baat hai
Neha:- ye koi chhoti baat nahi ho sakti jitna main tujhe jaanti hun tu jaldi gussa
nahi hoti lekin jab bhi tujhe gussa aata hai wo bohat hi khatarnaak hota hai aur
abb tera chehra hi bata raha hai ki tu kitna gussa hai? abb mujhse chupaana
band kar aur jaldi bata baat kya hai?
Shruti:- sach kaha tune bohat gussa aa raha hai mujhe abhi ye Rajesh ne mujhe
kitna kuch sunaaya aur ye Sameer ussi ka side le raha tha Rajesh par hi nahi
mujhe ye Karan Priya aur Divya sabhi par gussa aa raha hai dekhna ek din inn
sab ko accha sabak sikhaaungi
Neha:- aur Sameer ko?
Shruti:- Sameer se main kyu gussa karu wo to mera dost hai ye baaki ke log jo
Sameer ke picche hai unse main gussa karti hun sabse jyaada Priya se
Neha:- Sameer sirf tera dost hai Neha ne alag andaaz se kaha jisse sun kar
Shruti ko thoda gussa aa gaya
Shruti:- kya matlab hai tera Sameer sirf mera dost hai han baaki ke dosto se
accha lagta hai uske saath baat karna time spend karna accha lagta hai koi usko
pareshaan kare yaa fir koi Rajesh ke jaisa chamcha banta fire ye mujhe accha
nahi lagta aur tu jo soch rahi hai na aisa bilkul bhi nahi hai aur han aage se aisa
bakwas mat karna Shruti ki baat par Neha thoda muskuraakar kehti hai
Neha:- shaayad tu apni feeling se anjaan hai tune abb iss baare me baat karne
se mana kar diya hai to main bhi nahi karungi lekin bohat jald tujhe ehsaas ho
jaayega ki Sameer bas tera dost nahi usse bhi badhkar hai aur wo teri baato se
harkat se pata chal raha hai abb ye baatein chhod aur abb tu class me jaa time
ho gaya hai iske baad Shruti class me chali jaati hai aur Neha ke dimaag me ek
idea aata hai Shruti ki help karne ka aur uska pehla target me Priya thi issi tarah
se din bitne lage Sameer ka Karan Priya aur Divya se koi baat nahi hota tha
Karan ki baat abb Divya se kabhi kabhi ho jaata tha Rajesh aur Shruti ek dusre
se baat karna band kar chuke the aise hi ek din canteen se aane ke baad
Sameer Rajesh aur Shruti ke saath college ke park me baitha tha wo dono kuch
baat kar hi rahe the ki Sameer ke picche se Priya aati hai aur usko apni taraf
ghuma kar ek jordaar thappad Sameer ki gaalon me laga deti hai Sameer ko ek
pal ke liye to kuch bhi samajh me nahi aaya ki kya hua kuch pal baad usko hosh
aaya aur pata chala ki Priya ne usse thappad maara hai Sameer ki aankh gussa
se ek dam laal ho gaya jindagi me pehli baar Sameer ko aisa gussa aaya tha koi
Sameer ko maare ye Sameer se bardaasht nahi hota tha aur shaayad hi Sameer
ne apne maa aur papa ko chhod kar kisi se maar khaaya ho aur aise me ek ladki
jisse wo nafrat karta hai aur bina uski galti usse thappad maarti hai ye baat
Sameer se bilkul bhi bardaasht nahi hua jab Sameer ne apni aankhein uthaa kr
Priya ki taraf dekha to usne dekha ki Priya ki aankho me aansu the ek pal ke liye
to Sameer confused ho gaya ki kya maamla hai ye sab ek baar chaaro taraf
Sameer ne apni najar daudaya to dekha ki park me maujood sabhi log usse hi
ghoor rahe hai Sameer ko aaj apna beizzati mehsoos ho raha tha usne socha ki
khinch ke ek thappad maare Priya ko par isse pehle wo ek baar baat kya hai wo
jaana chahta tha
Sameer:- kyu maara mujhe thappad? Sameer gusse me bas itna hi keh paaya
Sameer ki aawaj aur uski aankho se hi uska gussa ka pata chal raha tha koi aur
hota Priya ki jagah to wo dar jaata lekin Priya ki aankho me aansu tha usko
thoda sa bhi dar nahi lag raha tha Priya ko jawaab na deta dekh Sameer ek baar
fir gusse me wahi andaaz se bola
Sameer:- abb bataayegi bhi ki mujhe kyu maara? Sameer ka gussa dekh koi
bolne ka himmat nahi kar raha tha Shruti aur Rajesh to bas Sameer ko hi dekh
rahe the Priya ka jawaab na milne se Sameer gussa me aur fraustrated ho gaya
wo fir se bolne ke liye mouh kholne hi waala tha ki Priya ne kuch photos Sameer
ki taraf badha diya Sameer ne jaise hi photo dekha wo ek dam se shocked ho
gaya kuch pal ke liye shaant ho gaya Sameer ko shaant dekh Shruti aur Rajesh
bhi Sameer ke pass aa gaye aur uske haath se photo lekar dekhne lage photo
dekh kar wo dono shocked ho gaye dono me se kisi ko bhi vishwaas nahi ho
raha tha ki ye sach hai photo me Sameer aur Priya dono ek smile ke saath ek
dusre ki aankho me dekh rahe hai photos dekh kar to koi bhi ye bata sakta hai ki
dono lovers hai yaa fir inn dono ka chakkar chal raha hai abb Sameer ko samajh
me aaya ki Priya ne Sameer ko kyu thappad maara Rajesh aur Shruti Sameer
aur Priya ko ghur kar dekh rahe the Shruti ko to samajh me nahi aa raha tha ki
kya bole wo to bas Sameer ko gusse se khaa jaane waali najar se dekh rahi thi
kuch der tak shaant rehne ke baad Sameer ne Priya se kaha
Sameer:- bewkoof ladki tu nahi jaanti kya ye fake photo hai kisi ne edit kiya hai
aur ye photo dikhaa kar kya saabit karna chahti hai? aur mujhe maara kyu?
Sameer photo dekh kar shocked to ho gaya tha lekin uska gussa abhi bhi kam
nahi tha
Priya:- tum khud hi ye sab karke puch rahe ho ki kisne edit kiya Priya ne rote hue
ye kaha
Sameer:- kya? maine kiya ye sab tumhaara dimaag to thik hai ye kya bakwass
kar rahi ho Sameer ka gussa pal bhar me shock me badal gaya Sameer ke saath
saath Shruti aur Rajesh bhi shocked the ki ye ho kya raha hai
Priya:- han tumne edit kiya mujhe badnaam karne ke liye tumne college me
sabhi ko ye photo baant diya han ham dono dost nahi aur shaayad ek dusre se
nafrat bhi karte hai lekin tum apna dushmani nikalne ke liye iss hadd tak girr
jaoge ye tumse maine expect nahi kiya tha Karan ke saamne to bohat shaan se
kehte thhe ki tumhe hamse koi lena dena nahi hai aur ham tumse dur rahe jab
main tumse dur rehne lagi to tumne ye kar diya Sameer Priya ki har ek baat se
shocked aur gussa ho raha tha jo galti Sameer ne kiya hi nahi uska aarop Priya
uss par laga rahi thi ye Sameer se bardaast nahi hua Priya ko chup karaate hue
Sameer bola
Sameer:- band kar apna ye magarmach ke aaansu bahana abb samajh me aaya
ye bhi tum logo ki plan hai mujhe badnaam karne ke liye aakhir kya saabit karna
chaahti hai yaha students ka bhid jama karke aise emotional hone ki naatak
karke aur bhid ka sahanubhuti paakar tu kya sochti hai tu mujhe badnaam kar
degi iss baar Sameer ne ulta Priya par aarop laga diya pehle se bhid abb badh
gaya tha park me ek to Sameer ne Priya par bhadakte hue aarop laga diya aur
upar se students bhi Priya ko ghur rahe the Priya ko apna bohat beizzati
mehsoos ho raha tha wo waha se bhaagne hi waali thi ki Karan aur Divya aa
gaye Karan ne Priya ko rokte hue puccha
Karan:- kya hua Priya tum aise rote hue kaha jaa rahi ho? iske baad Priya ne
rote hue saari baat Karan se keh diya Karan ne jaise hi ye sunaa wo gusse se
aage badh kar Sameer ke pass gaya aur jaise hi wo Sameer ke collar pakadne
waala tha Sameer ne uska haath pakad kar gusse me kaha
Sameer:- agar tune mera collar pakda to tera ye haath tod ke rakh dunga aur
kutte tere pass aaj dam kaha se aa gaya jo mujhse ladne chala aaya main chup
hun iska matlab ye nahi ki main kuch nahi karunga agar dimaag jyaada kharaab
hua to dauda dauda kar maarunga aur koi tujhe mujhse nahi bacha paayega
Sameer ka gussa itna tha ki Karan ka gussa ek pal me gaayab ho gaya abb wo
thoda darte hue kehta hai
Karan:- dekh Sameer tu ye galat kar raha hai apne taakat ke dam par tu aisa
nahi kar sakta Priya ke saath Karan aur kuch kehta isse pehle hi Sameer usko
chup karaa kar fir se wahi tej aawaj me bola
Sameer:- tum sab ke sab gawaar ho kya ek baar keh diya to samajh me nahi
aata kya maine ye sab nahi kiya ulta main to hairaan ho gaya hun iss baat ko
sunn kar (Karan ko aankhe dikhaa kar) sach sach bol ye tum dono ka plan to
nahi Karan Sameer ka ye baat sun kar shocked ho gaya wo kuch react karta isse
pehle Priya rona band karke kehti hai
Priya:- stop it Sameer ek to tum apna galti nahi maan rahe aur upar se ham par
hi ilzaam laga rahe ho agar tumne college me photo distribute nahi kiya to wo
ladki ne mujh se kyu kaha ki Sameer ne ye photo bheja hai aur mujhe de diya
Priya ki iss baat par sab ko fir ek jhatka laga Rajesh aur Shruti to darshak ban
gaye the unhe kuch samajh me nahi aa raha tha ki ye ho kya raha hai bas
Sameer aur Priya ki baat sun rahe the
Sameer:- abb ye kya naatak hai kaun ladki kiski baat kar rahi ho aur main kyu
kisi ladki ko photo dunga jiske baare me main jaanta tak nahi bas tum aur Shruti
hi wo ladki ho jise main acche se jaanta hun Sameer Priya ki baat se fir hairaan
ho gaya uske dimaag me kuch bhi samajh me nahi aa raha tha ki ye sab ho kya
raha hai aur kitna twist aana baaki hai bas yahi condusion me wo apna sar khujla
raha tha Priya bas idhar udhar najar ghuma rahi thi aur uski najar ek ladki par
gayi jo dari hui si akeli khadi thi Priya ne bina der kiye usse bulaaya
Priya:- ae ladki idhar aa Priya ne dhire se bulaaya rone ki wajah se uski aawaj
thoda kam ho gayi thi lekin saath hi wo gusse me bhi thi aur darte hue wo ladki
Priya ke pass aayi lekin Priya ke pass aate hi thoda himmat karke usne Priya se
puccha Ladki:- han kahiye kya kaam tha aapko mujhse? ladki ne kisi girgit ki
tarah apna rang badal liya aur isse dekh kar Priya ko bohat tej gussa aaya aur
khinch ke ek thappad uss ladki ki gaal me lagaayi aur thodi tej aawaj me boli
Priya:- jyaada naatak karti hai tu hi wo ladki hai jo mere pass apna face cover
karke aayi thi aur photo dekar kaha ki Sameer ne mujhe diya hai aur sab ko
baanta hai Priya ki baat se Sameer ke saath sabhi ek baar fir hairaan ho gaye
wo ladki to andar se bohat dar gayi thi lekin fir bhi himmat karke boli
Ladki:- shaayad aap ko koi galatfehmi hua hai main wo ladki nahi hun aur main
to aapko jaanti tak nahi
Priya:- jaanti to main bhi tujhe nahi hun lekin itna jarur jaanti hun ki tu hi wo ladki
hai jisne mujhe photo diya tha jab tune baahar aake apne chehre se wo cover
nikaala tab maine dekh liya tha tera ye chehra Priya ne bohat gusse me ye baat
bola abb wo rona band kar chuki thi abb uski aankho me aansu ki jagah gussa
tha jisse dekh wo ladki hi haalat kharaab ho raha tha students ki itni jyaada bhid
badhne ki wajah se Principal bhi hairaan ho kar students ke bicch se ghatna
waali jagah par pahunch gaye Principal Sameer ko dekh ek baar fir chaunk gaye
aur samajh gaye ki jarur Sameer ne koi tamasha kiya hoga unhe lag raha tha ki
Sameer ko college se nikaalne ka sabse accha mauka hai saanp bhi mar
jaayega aur laathi bhi nahi tutegi fir kya tha unhone apne raubdaar aawaj ke
saath Sameer se puccha
Principal:- Sameer ye kya tamasha kar rahe ho tum sab? bhulo mat ye college
hai koi circus nahi jaldi bataao baat kya hai? Principal ki iss baat par Sameer
muskuraate hue Principal se sab kuch kehta hai(uss ladki ke baare me chhod
kar) aur last me jo kehta hai
Sameer:- sir aap jaana chaahte hai wo ladki kaun hai jo iss tamasha ki main
wajah hai aur jisne mera naam lekar Priya ko photo bheja tha
Principal:- han kaun hai wo?
Sameer:- (uss ladki ki taraf ungli dikhaate hue) wo hai aapki beti Miss Neha abb
aap bataiye kya punishment denge aap apni beti ko iss galti par rusticate yaa
kuch aur Sameer ne muskuraate hue kaha Sameer ka itna kehna thaa ki Neha
aur Principal ki haalat ek dam se kharaab ho gaya Principal ye sun kar bohat buri
tarah se chaunk gaye unhe vishwaas hi nahi ho raha tha ki Neha aisa kar sakti
hai ek najar chaunkte hue unhone Neha par daala to dekha Neha bhi bohat buri
tarah se dar gayi thi Neha ka ye dar dekh Principal ko yakin ho gaya ki Sameer
sach keh raha hai aas paas me sabhi students shaant to the lekin Principal aur
Neha par ghur rahe the Principal ko shaayad itni jyaada sharmindagi jindagi me
kabhi mehsoos nahi hua tha kuch der yunhi sar jhukaane ke baad wo gusse me
bole
Principal:- Neha kya Sameer sach keh raha hai tumne hi kiya hai aisi ghatiya
harkat? Principal ki gusse se bhari aawaj sunn kar Neha buri tarah se dar gayi
abb wo kuch bolne ki haalat me nahi thi aur wo ye bhi jaanti thi ki abb wo jhutth
bhi nahi bol sakti thi bas han me date hue sar hilaa diya ye dekh Principal ka
gussa saatwe aasmaan me pahunch gaya lekin wo kuch nahi bole kuch pal ke
liye park me ek khaamoshi chaa gaya aur iss khaaamoshi ko todte hue Sameer
bola
Sameer:- sir to kya socha aapne punishment ke baare me kya aap isse miss
nisha ko pehli galti samajh kar maaf kar denge yaa fir koi punishment denge
Sameer ki aawaj me thoda vyang tha aur sabhi students ki najar ek baar fir
Principal par tik gaya sabhi utsuk the ye jaane ke liye ki Principal koi punishment
dete hai ya nahi Neha ko Neha bas sar jhukaaye khadi thi abb usse ehsaas ho
raha tha ki usne kya galti kiya hai wo apne dad se najar tak nahi mila paa rahi thi
aur usse dar lag raha tha ki abb Principal kya kahenge Sameer ki baat sun kar
Principal ko laga ki kisi ne garam pighalta hua seesha unke kaan me daal diya
ho wo ek baar Neha ko gussa se ghur kar kehte hai
Principal:- main tumhe isse tumhaari pehli aur aakhiri galti samajh kar tumhe 1
week ke liye suspend karta hun aur agar dusri baar tumhaara complaint aaya to
college se rusticate kar dunga Neha to kuch bol nahi paa rahi thi wo bas apna
aur apne papa ki insult par ro rahi thi Principal apne baat kehne ke baad ghur kar
ek najar Sameer par daalte hai aur jaane lagte hai lekin picche se aa rahi
Sameer ki aawaj unhe rok deta hai
Sameer:- excuse me sir aap mujhe aise ghur kyu rahe hai jaise saari galti mera
ho aapki beti ne jo kiya mere saath uske baad itna to hak hai mera sir shaayad
isse bhi jyaada hai ki aapko complaint karu bas mujhe pata hai ki Neha aapki beti
hai na hi isse kabhi baat kiya dosti kiya yaa fir koi lafda kiya lekin bewajah issne
mera izzat ke saath khilwaad karne ki koshish kiya mera aur Priya ka photo sab
ko baanta hai isne main pucch sakta hun issne aisa kyu kiya (Neha ki taraf
dekhte hue) to miss Neha kya main aapse pucch sakta hun ki aapko mujhse kya
problem hai jo aapne aisa kiya kya laga aapko ki aap apne iss ghatiya plan me
success ho jaayengi lekin aapko nahi pata aapne Sameer se panga liya hai aur
Sameer aisa insaan hai jisko fasana aap jaisi brain less insaan ki bas ki baat
nahi hai koi accha sa plan karti ye baccho jaisa plan se mera kuch nahi hone
waala aur ek baat sunn lijiye aaj se mere saath kabhi ulajhne ki koshish mat
karna warna aapke papa bhi aapko nahi baccha paayenge Sameer apni dosto ke
liye jaan de bhi sakta hai aur dushmano ka jaan le bhi sakta hai main aapko ye
nahi pucchunga ki aapne ye kyu kiya lekin main bas yahi chaahta hun ki aap
dobaara ye galti nahi kare agar karengi to dekh lena Sameer counter attack me
kya karta hai (Priya ki taraf dekhte hue) tum to bohat darpok ladki ho itna kuch ho
gaya tumhaare saath lekin ek shabd nahi bol rahi agar iska plan success hota to
pakka tumhaari izzat ka waat lag jaata main to jaise taise sambhal kar pata laga
hi leta ki kisne ye kiya hai aur acche se sabak sikhaata tumhaare saath isne ye
sab kiya aur tum chup ho apne hak ke liye ek aawaj bhi nahi nikaala agar
tumhaari jagah main hota naa to Principal sir ko majboor kar deta aisi giri hui
ladki ko rusticate karne ke liye (Neha ki taraf fir se) aise ghur kya rahi hai tu sach
me giri hui ladki hai ek ladki hokar dusri ladki ke izzat ke saath khelti hai abhi tera
jo beizzat ho raha hai na wo to Priya ki izzat ke saamne bohat kam hai agli baar
galti se bhi mujhse uljhi na to tera baap bhi nahi bacha sakta tujhe itna keh kar
Sameer chup ho gaya aakhiri ke kuch lines bohat hi gusse me bola tha Sameer
ne sabhi students shocked ho gaye the Sameer ka aisa roop dekh kar aur
Principal ke saamne aisa himmat karke bolta dekh Principal bhi ye sab bardaasht
nahi kar paaye aur gusse se cheekh kar bole
Principal:- Sameer Principal aur bhi bolna chaahte the lekin Sameer uski baat ko
bich me hi kaat kar bola
Sameer:- sir aap itna chilla kyu rahe hai maine kya galat bola please ye bataane
ki koshish karenge Principal kuch nahi bol paaye aakhir kya galti dikhaate
Sameer ki
Sameer:- sir aapko apne papa ki dost aur Principal samajh ke respect kiya lekin
aap usse digest nahi kar paaye har baar meri galti nikaalne ki koshish karte rahe
iss baar ki tarah taaki aap mujhe college se nikaal sako jaanta hun aaj aapki
bohat beizzati hua hai aur maine ye jaanbujh ke kiya uski wajah aap jaante ho
jab main aapke office se nikla tha tab akele me aapne papa ki kitna insult kiya
hai ye baat main nahi bhula hun aap to dost ke naam pe kalank ho jo dusro ki
baat ko apna ego ke roop me lekar apne dost ko bhi nahi chhoda aap to mujhse
itna gussa ho gaye ki mujhse badla lene ke liye kisi bhi hadd tak girr sakte hai
hamesha aapne dusro ki kami nikaalne ki koshish kiya hai na to ek baar aap apni
beti ko hi dekh lijiye aur sir aap se request hai ki meri galti dekhne se pehle aap
apni beti me ek baatr jhaank kar dekhiye itna keh kar Sameer chup ho gaya
Principal kuch bol nahi paa rahe the Principal ko kuch na bolta dekh Sameer fir
se bola
Sameer:- sir abb baat karne se koi matlab nahi umeed hai aapko meri baat
samajh me aa gaya hoga abb aap jaa sakte hai maine apne papa ka badla le liya
aur aapki ego tod diya umeed hai abb aap mujhe be wajah pareshaan nahi
karenge aur jab meri galti hoga tab hi mujhe college se nikaalenge Sameer ki
baat sunne ke baad Principal waha par ek pal ke liye bhi nahi ruke waha se
sidha apne office nikal gaye Neha bhi aankh ponchte hue apni class ki taraf nikal
gayi baaki ke students bhi free ka entertainment dekhne ke baaad dhire dhire
waha se nikal gaye abb park me Sameer Shruti Rajesh Karan Priya aur Divya hi
baaki the Shruti Sameer se kuch kehne hi waali thi ki Sameer utth kar Priya ki
taraf gaya aur gusse se Priya ko bola
Sameer:- mam main aapko bhi last warning deta hun bina koi proof mujh par koi
ilzaam mat lagaana aur haath mat uthaana aaj jo bhi hua usse aaram se baat kar
sakti thi na to tamasha karne ki kya jaroorat tha maine bohat baar kaha hai ki
mujhe tum logo se koi matlab nahi hai tum log apna kaam karo aur mujhe apna
karne do lagta hai tum dono ko mujh se ladayi kiye bina chhain nahi milta to main
tumhe bata du tum log aag se khel rahe ho aur kisi din ye aag bhadak gaya to
tum dono ko jala dega main to ye sochta tha ki tum dono ko ignore karne me hi
bhalaayi hai lekin abb lagta hai mujhe tum dono ka saamna karna chahiye agli
baar kuch saazish kiya mere khilaaf to dekh lena main kya karta hun (Karan ki
taraf dekh kar) tu mujh par haath uthaa raha tha luck accha tha tera ki mujhe
touch nahi kiya warna tera dono hi haath tod deta aur ek baat bata naa hi tum
dono ke paas taakat hai aur naa hi dimaag jisse mujhse panga le sako kya
sochte ho tum dono tum dono galti karte rahoge aur main tumhe chhod dunga
agli baar karke dikhaana koi galti tab tumhe pata chalega Sameer se panga lene
kitni badi murkhata hai abb jao tum dono yaha se Karan aur Priya bhi Sameer ka
gussa dekh kar dar gaye the aur bina kuch bole dono chale gaye apni class ki
taraf Divya bhi ek najar Rajesh ko dekh chali gayi abb park main sirf Sameer
Rajesh aur Shruti thhe Sameer dono se kehta hai
Sameer:- saala aaj kitna manhoos din hai dimaag kharaaab ho gaya aaj mera
har koi mujhse panga le raha hai Sameer frustrated hokar bola
Rajesh:- han yaar aaj ka din accha nahi tha lekin yaar Principal se tune acche se
baat nahi kiya Rajesh ki baat ko kaat kar Sameer bola
Sameer:- nahi maine jo bhi kiya sahi kiya life me pehli baar papa ka itna insult
hota dekha hai wo bhi uss Principal ki wajah se abb uska akal thikaane par aa
jaayega aur hame pareshaan nahi karega Sameer ne bas itna hi kaha tha ki
lunch khatam hone ka bell baj jaata hai
Sameer:- chalo abb class me abb baat karne ka bilkul bhi mood nahi hai iske
baad teeno class ki taraf jaate hai Shruti kuch bol nahi rahi thi uske dimaag me
bas yahi sawaal aa raha tha ki aakhir Neha ne aisa kiya kyu?
Present
Priya:- Sameer abhi mujhe bohat neend aa rahi hai please baaki ki baat mujhe
kal bataana abhi sone do
Sameer:- ok thik hai Sameer itna keh kar apne room me aakar soo gaya lekin
usse kya pata tha ki kal usse fir se Principal aur Neha ka saamna karna padega
aur fir se apni bhool ki usko ehsaas hone waala hai
Agli subah Sameer utth kar jab niche hall me gaya to hall me aaye mehmaano ko
dekh shocked ho gaya niche Principal aur unki beti Neha aaye thhe Sameer ko
dekhte hi Principal ki chehre pe ek muskaan aa gaya Sameer unko ignore karta
hua aas paas dekhne laga Principal ke saath Sameer ki maa aur papa baithe
hue the wo ek dam se khaamosh thhe kuch nahi bol rahe thhe apni bete ki galti
me bolte bhi kya thoda sharminda mehsoos kar rahe thhe Priya bhi thodi dur par
chup baithi thi Sameer ne khud ko mentally prepare kiya Principal ki sawaalo ka
jawaab dene ka jab Sameer sabhi ke paas aa gaya tab Principal usse
muskuraate hue pucchte hai
Principal:- aao Sameer (sofa ki taraf ishaara karte hue) baitho yaha par (Sameer
bhi baith jaata hai) aur bataao kya haal hai tumhaara
Sameer:- thik hun sir aur aap bayaaiye kaise hai aap aur kaise aana hua?
Sameer ki baato se hi pata chal raha tha ki wo baat karne ki mood me nahi tha
na chaahte hue bhi wo baat kar raha tha
Principal:- main to bohat jyaada thik hun kuch din pehle jab tumhaari shaadi ki
breaking news mila tab se bohat hi jyaada khush hun aur hona bhi chahiye
aakhir hamaare college ki batch topper ki shaadi jo hai tumne to shaadi me
bulaaya nahi any way congratulations Principal ki baato se pata chal raha tha ki
wo kitna khush tha Sameer se baat karne me aaj unhe kitna majaa aa raha hai
Sameer:- sir haalat hi kuch aisa ho gaya tha ki shaadi achanak se ho gaya warna
aap ko kaise bhul sakta tha aap ko khaas mehmaan ki tarah bulaata khair
chhodiye inn baato ko jo beet gaya abb usse baat karne se kya faaida and
thanks for your wishes Sameer ki har ek shabd me uska gussa tha sabhi Sameer
ko aise baat karte dekh shocked the ab Principal ko bhi gussa aa raha tha
Sameer ka iss tarah se baat karne se
Principal:- lagta hai abhi tak tumhaara ghamand nahi gaya tumhaari hi iss
ghamand ki wajah se aaj tumhaara ye haal hai aur tumne iss bechari Priya ki
jindagi bhi barbaad kar diya abb sharminda hokar maafi maangne ki jagah abhi
bhi tum apne attitude nahi badal rahe ho aur to aur bado se baat karne ki tameej
nahi hai Sanjay(Sameer ke papa) tune ye kaisa sanskaar
Principal ne bas itna hi kaha tha ki Sameer unki baat ko bich me kaaat kar kehta
hai
Sameer:- sir please aap papa se sanskaar ki baat mat kijiye pehle khud dekh
lijiye aapne kya sanskaar diya hai apni beti ko aur sir aap tameej ki baat kar rahe
thhe na sir main sabko respect karta hun chaahe ho bade ho ya chhote lekin wo
mera respect ke laayak ho aur sir aap jo mera attitude aur ghamand bol rahe hai
na wo bas aapko aisa lagta hai aur aap ko kuch bhi lage isse mujhe kuch fark
nahi padta aapko jo sochna hai sochiye aur sir maanta hun maine galti kiya hai
Priya ki jindagi se khilwaad karke but I am proud of myself mujhe khud par garv
hai ki maine aur barbaadi hone se bacha liya agar maine Priya se usse shaadi
nahi kiya hota to Priya ki life aur barbaad ho sakta tha aakhiri ki kuch pal me
khud ki ghamand aur ego ko side me rakh kar khud ko sharminda karke ye
decision liya aur badi galti hone se bacha liya aapki tarah nahi hun sir jo aaj tak
apne ego ki wajah se mere chhote galti ka bhi maja le rahe hai lekin bohat jald
aapka ye majaa niraasha me badalne waala hai main bohat jald apni galti
sudhaar lunga aur baat pehle ki tarah normal ho jaayega Sameer ne iss baar
kaafi gusse me bola tha Mr and Mrs Sharma ko bhi samajh me nahi aa raha tha
Sameer ki iss gusse par kya react kare wo log chup hi rahe Principal ke pass abb
kuch bolne ke liye bacha hi nahi tha wo to soch kar aaye thhe ki Sameer ko aaj
wo bohat insult karenge lekin Sameer itna bhi toota nahi tha ki kisi ko khud ke
upar haawi hone de
Neha:- tum khud ko samajhte kya ho Sameer itna bada galti karne ke baad bhi
tum apna galti nahi maan rahe ho upar se papa par bhi chilla rahe ho besharmi ki
bhi kuch hadd hota hai
Sameer:- to abb tu bhi bol rahi hai besharmi ki baat tu mujh se na kare to hi
accha hai bhul gayi jab tune besharmi ki hadd paaar karte hue mera aur Priya ka
photo edit kiya tha chal chhod jaane de uss baat ko aur han main sirf unke
saamne tej aawaj me nahi bolta jiska main gunehgaar hun Priya aur apne maa
aur papa se unchi aawaj me nahi bolta aur koi bich me aa kar mujhe chillaye to
main bhi same reaction deta hun mere saath jaisa treat karoge main bhi
tumhaare saath waisa hi treat karunga main dosto ke liye dost aur dushmano ke
liye dushman hun tit for tat Principal aur Neha to gusse me paagal ho rahe the
Sameer ka aisa beizzati karne se abb Neha ke paas aakhiri hathiyar baaki tha
aur usne Sameer ke saamne uska bhi istemaal kar liya
Neha:- to tum Shruti ki gunehgaar nahi ho uska pyaar todne ka gunaah kiya hai
tumne aakhiri mauke me aa kar uske saath shaadi na karna kya ye gunaah nahi
hai dhokha diya hai Shruti ko tumne hai kya tumhaara jawaab iss sawaal par
Neha ki iss sawaal me uska confidence tha ki usne Sameer ko uska galti ka
ehsaas dilaa diya hai Sameer bhi iss baat me soch me padd gaya lekin kuch pal
baad Sameer ne bhi Neha ka sawaal ka jawaab diya
Sameer:- lekin maine Shruti se pyaar nahi kiya hai main to usse bas iss liye
shaadi kar raha tha kyuki sabhi chaahte the ki ye shaadi ho mujhe bhi jyaada
problem nahi tha lekin agar ye shaadi ho jaata to main galti kar deta Priya ki life
barbaad karne ka badi galti hone se rokne ke liye choti galti ka sahaara liya aur
bohat jald hamaara divorce hone waala hai uske baad Shruti ki marji lekin mujhe
aisa kyu lagta hai ki meri galti ke picche tera bhi koi haath hai agar mera shak
sahi nikla to samajh jaana Sameer ne shak bhari najar se Neha ko dekha to
Neha andar se bohat dar gayi lekin baahar se kuch nahi dikhaa rahi thi Sameer
ka aaj itni din ka gussa Principal aur Neha par phoota wo chaahta to nahi tha
aise bolne ka lekin Principal aur Neha ne usse majboor kar diya aisa bolne par
koi Sameer ki self respect par baar kare ye Sameer ko manjoor nahi tha wo apne
parents ke saamne ye bolna nahi chaahta tha lekin bohat din se daba hua gussa
nikal hi gaya abb iss baat par afsos karne se kuch faaida nahi tha abb Sameer
ko yaha rehna accha nahi lag raha tha wo apne maa aur papa se kehta hai
Sameer:- inki acche se khaatirdaari kijiye (Principal ko dekhte hue) athithi devo
bhawa Sameer ki iss baat par Mr and Mrs Sharma fir kuch nahi bolte hai Mr
Sharma to soch rahe the ki Principal ke jaane ke baad acche se Sameer ki
khabar lene ki filhaal chup rehna hi accha tha Sameer ek najar Priya ki taraf
dekhte hue
Sameer:- chalo Priya aage ki baat batata hun iske baad Sameer aur Priya dono
upar room ki taraf jaate hai Mr Sharma Mrs Sharma aur Principal Sameer ko
ghur rahe the to Neha Priya ko Sameer Priya ko lekar apne room me gaya kuch
der tak to koi bhi baat nahi hua dono me Sameer gussa shaant karne ke liye ek
bottle paani ek hi baar me pee gaya aur kuch der chup baithne ke baad Sameer
ka gussa shaant hua Priya abb tak Sameer se kuch nahi boli thi wo jaanti thi ki
Sameer ko gusse me bulaane ki natija kya hota hai jab Priya ko laga ki abb
Sameer normal hua hai tab wo Sameer se kehti hai
Priya:- aaj sir se iss tarah baat karna jaruri tha kya? wo tumhaare sir hone ke
saath saath tumhaare ghar ke mehmaan bhi the lekin tum to gusse me aakar
bina kuch samjhe kuch bhi bolte chale gaye ghar aaye mehmaan ki koi iss tarah
se beizzati karta hai kya aur wo bhi apne hi parents ke saamne Priya ki baat se
saaf pata chal raha tha ki usko Sameer ki Principal se iss tarah baat karna bilkul
bhi pasand nahi aaya hai
Sameer:- wo mere mehmaan se pehle mere guru hai aur main apne har guru ko
bohat izzat karta hun kya tumne kabhi mujhe college me kisi teacher se
badtameezi se baat karte hue dekha hai Khanna sir aur Principal sir ko chhod
kar Khanna sir se to main maafi maang chuka hun aur unn se sollege ki
suruwaati dino me hi bahas hua hai baad me maine unse maafi maang liya aur
unse kabhi badtameezi se baat nahi kiya Principal sir ki baat kare to mujhe shak
hota hai ki sach me wo guru hone ke laayak hai guru to apne shisyon ki badi se
badi galti maaf kar dete hai lekin unhone kya kiya jab meri galti hi nahi tha tab bhi
mujhe nahi samjha bina galti ke mujhe apne office me bulaa kar mera galti
dikhaane ki koshish kiya bohat badtameezi se baat karte rahe kisi bhi insaan ka
sehne ki ek hadd hota hai aur jab wo hadd se jyaada bol gaye to maine thoda sa
virodh kiya usse unka ego hurt hogaya aur uske baad to wo mere picche haath
dho kar padd gaye jab bhi mauka milta meri izzat utaarne ki ek mauka nahi
chhodte iss chakkar me ek din papa ko bhi apne office me bulaa kar insult kiya
wo baat mujhse bardaasht nahi hua koi kaise apne papa ke saath aisi harkat
bardaasht kar sakta hai tabhi se soch liya main unko ek din bataa ke rahunga
sahi insult kise kehte hai jyaada mehnat bhi nahi karna pada mauka apne aap
mere haath aa gaya Neha ki uss harkat ki wajah se mujhe laga sir ko abb sabak
mil gaya hoga aur wo apni beti ko kuch samjhaayenge aur apni galti samjhenge
lekin nahi wo mere iss baat ko nahi bhule aur badle ka intejaar kiya aur wahi
mauka aaj mila unhe maine sunaa to nahi lekin yakin ke saath keh sakta hun
jaroor unhone papa ka fir se insult kiya hoga yaha aa kar tum kehti ho ki ghar me
aaye mehmaan se aise pesh nahi aana chaahiye to kya koi bhi ghar me aake
hame jo mann me aaya wo sunaa de to ham bardaasht kar lenge unhe laga
hoga yahi sahi mauka hai mujhe insult karne ka lekin wo nahi jaante ki aaj bhi
main wo Sameer hun jo pehle hua karta tha bas tumhaare saamne jyaada nahi
bolta aur iss ka matlab ye nahi ki main sabhi ke saamne chup rahunga aaj bhi
iit(brick) ka jawaab patthar se dena aata hai mujhe aur yakin hai mujhe ki unko
jara sa bhi apni izzat ka khayaal hai to aaj ke baad wo mujh se nahi uljhenge bas
issi baat ka ehsaas dilaana tha mujhe unhe Sameer ne itna keh kar ek lamba
saans liya Priya bas Sameer ko dekh rahi thi wo kuch bol nahi rahi thi shaayad
wo bhi Sameer ki iss baat se sehmat thi iss baare me abb wo baat karke apna
mood aur kharaab nahi karna chaahti thi kuch pal shaant rehne ke baaad usske
dimaag me kuch aaya aur wo boli
Priya:- Sameer tumhe nahi lagta ki tumhe apne gussa par control karna chahiye
aaj gusse me tumne Principal sir se iss tarah se baaat kiya aur tumhaari gusse ki
wajah se hi mera ye haal ho gaya hai
Sameer:- bilkul nahi karna chahiye gussa par control bilkul bhi nahi karunga aur
maine ye sab tumse hi to sikha hai tumse milne se pehle kabhi kisi pe gussa
nafrat aur badla waali feelings nahi aaya aur tumhaara jo ye haal hai maanta hun
ki sabse badi galti meri hai lekin tumhaari bhi galti hai jo tum nahi maanogi
Priya:- maine kya galti kiya hai? jo bhi kiya tumne kiya aur abb mujh pe ilzaam
laga rahe ho Priya thoda shocked aur thoda gussa hokar boli
Sameer:- kaha tha na nahi maanogi shaadi ke time sab galti mera hai ye main
maanta hun lekin usse pehle tumhaari galti thi kitni baar warn kiya tha maine
tumhe ki meri life me dakhal andaazi mat karo lekin tumhe aur Karan ko iska
parwaah hi kaha tha tumhe laga ki main koi comedian hun aur jokes kar raha
hun meri baat ko nahi maana tum logo ne aur issi wajah se main ye sab karne
par majboor ho gaya agar ek baar maan leti aur mujhse dur rehti to shaayad aaj
hame ye din na dekhna padta Sameer ki iss baat par Priya ne koi jawaab nahi
diya Priya abhi bhi Sameer ki uss galti ki wajah se naraaj thi aur bohat samay tak
uska naraajgi khataam nahi hone waala tha
Sameer:- abb ye baatein chhodo abb aage ki baat batata hun
Flashback
Neha ki uss harkat ke baad sabhi ka mood kharab ho gaya tha college chhuti
hone ke baad bina ek pal gawaaye sabhi apne ghar laut gaye iss ghatna ki wajah
se agar kisi pe jyaada asar pada tha to wo Priya Sameer aur Shruti the Sameer
aur Priya Neha ka iss tarah se unn dono ka naam uchaalne ki wajah se wo dono
Neha par gussa ho gaye the wahi dusri taraf Shruti shocked thi Neha ki iss
harkat ki wajah se Neha ne to kaha tha ki Neha uska help karegi lekin iss tarah
se help karegi ye usne socha nahi tha Shruti ko Neha par bohat gussa aa raha
tha wo soch rahi thi ki Neha ne aakhir aisa kiya kyu kuch pal yunhi pareshaan
rehne ke baad wo Neha ko phone lagaati hai dusri taraf se Neha bhi phone
uthaa kar dhimi aawaj me kehti hai
Neha:- hello
Shruti:- hello ki bacchi abb itna dhire se kyu bol rahi hai itna hangama karne ke
baad tu pura paagal hai kisne kaha tha tujhe ye sab karne ke liye Shruti ne bohat
gusse ke saath kaha
Neha:- tune hi to kaha tha Priya Rajesh Karan aur Divya ko majaa chakhaana
hai Neha ne Shruti ko uski baat yaad dilaate hue kaha
Shruti:- kaha tha ki unse main niptungi tujhe nahi kaha tha ye paagalpan karne
ke liye Shruti ka gussa kam hone ka naam nahi le raha tha
Neha:- yaar tu to aise gusse se baat mat kar ghar aane ke baad papa bhi naraaj
hai aur unhone mujhse baat tak nahi kiya hai
Shruti:- to tune kaunsa aisa kaam kar diya hai ki tere papa ko tujh par garv ho wo
to tera kismat achha hai jo tujhe aise baap mila warna koi aur hota to tera khair
nahi aur tu ye bata ki tujhe ye bakwaas idea mila kaha se baccho waali idea se
Sameer ka saamna karne chali thi abb bhugat
Neha:- plan to accha tha face ko cover karke gayi thi Priya ko photo dene lekin
galti ho gayi ki class se baahar nikalte hi cover hata liya aur usne dekh liya Neha
ne pachtaate hue Shruti se kaha iske baad kuch der tak Shruti Neha ko daant ti
hai aur dobaara se aisi koi kaam na karne ki warning deti hai kuch der baad
Shruti:- waise concept tera buraa nahi hai istemaal acche se karna hoga aur wo
main karungi Sameer ko Priya aur Karan ke khilaaf bhadkaa kar galatfehmi
paidaa kar dungi aur Priya aur Karan ko bhi iss tarah se unn me ladaayi ho
jaayega aur mujhe puraa yakin hai Priya aur Karan Sameer ke saamne tik nahi
paayenge aur last me Sameer aur Rajesh ke bich bhi maine tujhe bata to diya
lekin tu try mat karna warna fir banaya hua khel bigad jaayega and thanks for the
concept itna keh kar Shruti call rakh deti hai aur uske chehre par apne hone
waali jit ka mushkaan tha Shruti khud anjaan thi ki uski iss idea se baad me kitna
bada tufaaan aane waala hai Sameer aur Priya ki life me aur saath hi saath usko
bhi afsos hoga ki usne aisa kyu kiya
Next day in college
hamesha ki tarah Sameer Rajesh aur Shruti lunch kar rahe the Shruti ko laga
yahi accha mauka hai apne plan ki suruwaat karne ka
Shruti:- Sameer tum jaante ho wo Karan tumhaare peeth picche class me
tumhaari buraai karta hai? Shruti ne pehle Karan ko target kiya aur Sameer ke
mann me Karan ke khilaaf jhehar gholne ki sochi
Sameer:- bhaunkne do kutte ko wo bas picche se bhaunkh sakta hai saamne se
kuch bolne ki himmat nahi aur jo kehna hai usse kehne do hame kya fark padta
hai aur han agar saamne se kabhi bola to mera gussa ka show dekhega Sameer
ko Shruti ki baat ka kuch fark nahi pada wo toKaran ko apne saamne kuch
maanta hi nahi tha Shruti bhi filhaal jyaada na bolne ka sochti hai lunch karne ke
baad Sameer aur Rajesh to class me chale jaate hai lekin Shruti kuch sochte hue
park ki taraf cal deti hai wo park me sidha Priya ke pass chali jaati hai aur Priya
se kehti hai
Shruti:- mujhe tumse baat karna hai? gussa aur pura attitude ke saath Shruti boli
Shruti ne aaj pehli baar Priya se kuch kaha tha Shruti ki baat sun kar Priya ke
saath Karan aur Divya bhi chaunk gayi ki Shruti ko Priya se kya kehna hai
Priya:- haa kaho? Priya ne bas itna hi jawaab diya
Shruti:- main tumhe ye kehne aayi hun ki tum teeno Sameer se dur raho? jyaada
Sameer ko pareshaan karne ki socha naa to tum teeno ka jeena mushkil kar
dungi (Karan aur Priya ki taraf dekh kar) tum dono kyu apna naak bich me
ghusedne aa jaate ho hamaari group me pata nahi Sameer kaise bardaast kar
leta hoga tum dono ko agar aise hi chalta raha to ek din Sameer ka gussa bhi
dekh loge tum dono agli baar tum dono ne kuch karne ka socha bhi to Sameer
ka pata nahi lekin main tum dono ko nahi chhodne waali? Shruti ki aawaj me
attitude aur warning dono tha wo itna keh kar jaane ke liye palti hi thi ki Priya ki
aawaj usse rok leta hai
Priya:- excuse me tum kya sochti ho tum aise kuch bhi bol dogi aur ham sun
lenge abb tum aut tumhaara group ka problem kya hai Sameer ne keh diya hai
na ki wo apne dosto se hi matlab rakhta hai hamse nahi aur ham usse koi matlab
na rakhe to ham yahi to kar rahe hai shaayad galti me kuch jyaada hi fight ho
gayi hamaare bich abb hame bhi usse koi matlab nahi aur ham bhi shaanti
chaahte hai koi ladaayi nahi to tum kyu aakar isss tarah se baat kar rahi ho aur
hame dhamki de rahi ho? abb to hamne kuch bigada bhi nahi hai tum logo ka
Priya ki baat se saaf pata chal raha tha ki usko Shruti ki baat pasand nahi aaya
tha
Shruti:- han yahi yaad dilaane aayi thi ki galti karne ka sochna bhi mat warna
anjaam bohat bura hoga Priya ki jawaab sun Shruti ne ek baar fir chetawani de
diya
Priya:- dimaag nahi hai kya tumhaare paas keh diya naa abb hum tum logo ki
bich nahi aayenge to kyu nahi samajh rahi aur hamaara dimaag kharab kar rahi
ho baar baar Shruti ki warning se gussa hokar Priya ne bhi iss baar tej aawaj me
jawaab diya Priya ka aise chillane se Shruti ko bohat gussa aaya wo bhi abb
ladaayi ki mood me aa gayi aur fir se chilaate hue kehne lagi
Shruti:- kya kaha tune mere paas dimaag nahi hai tera aisa bolne ki himmat bhi
kaise hui mujhse jubaan ladaayegi tera itna himmat ho gaya ruk tujhe to main
abhi bataati hun Sameer ne chhod diya to iska matlab jo mann me aayega wo
karegi Shruti itna keh kar aage badhi hi thi ki lunch break khatam hone ka bell
bajta hai aur tab jaakar usse ehsaas hota hai ki aas paas kuch students unhe
dekh rahe hai jhagadte hue lunch break khatam ho gaya tha to abb koi matlab
nahi tha fighting karne ka Shruti aur Priya dono ek dusre ko ghurte hue class ki
taraf jaane lagte hai
Priya:- (in her mind) kaisi ajeeb ladki hai be wajah ladna chaahti hai Sameer to
bohat attitude dikhaata tha ki usse ham logo se koi matlab nahi aur hamse dur
rehna chaahta hai to fir ye kya hai uska hi dost hamse be wajah ladna chaahti
hai hame kuch bhi keh sakti hai aur agar main kuch reply du to mirchi lag gayi
aaj college chhuti hone ke baad ek baar Sameer se baat karke hi rahungi iss
Shruti ke baare me dekhta hun aaj kya jawaab deta hai wo apni iss dost ki aisi
harkat par
Shruti:- (in her mind) mujhse jubaan ladaati hai lagta hai iski himmat bohat badh
gayi hai jo abb hamse jubaan ladaati hai bohat jald iska saara ghamand tod
dunga pehle to socha tha ki ek warning deta hun isse hamse dur rehne ka lekin
ye ladki warning bhi deserve nahi karti lagta hai isse sidha sabak sikhaana
padega abb Shruti se panga liya hai to iska anjaam bhugatna to padega accha
sabak sikhaaunga iss Priya aur iski team ko chaahe uske liye mujhe kuch bhi kyu
na karna pade Shruti ne Priya ki baat ko apne ego ke roop me le liya tha aur
uskoapna galti bilkul bhi najar nahi aa raha tha ek simple si baat ko complicated
banaane jaa rahi thi wo aur abb wo har haal me Priya ko sabak sikhaana chaahti
thi iske liye chaahe usse kuch bhi karna kyu naa pade Sameer aur Priya ki gusse
aur nafrat ka jwaalamukhi jo shaant ho raha tha usse fir se Shruti bhadkaana
chaahti thi iska anjaam kya hoga ye to bas wakt hi jaanta tha jo bhi hoga accha
to bilkul bhi nahi hoga kisi ke liye bhi college jab khatam hua uske baad Sameer
aur Rajesh apne ghar jaane ke liye nikli hi thi ki Priya daud kar uske paas aa
jaaati hai Shruti bhi wahi thi yahi accha mauka tha Priya ke liye Shruti ke saamne
hi wo uski sikaayat Sameer se kare
Priya:- Sameer Priya jaise hi Sameer ki jagah pahunchi wo haanfte hue boli
Sameer ne bhi picche mud kar dekha to Priya ko yaha paakar chaunk gaya wo
Priya ka yaha iss tarah se aana aur khud ko bulaane ki wajah kya ho sakta hai
ye soch raha tha
Sameer:- abb kaun sa naya dreama karne aayi ho? Sameer ne behad
rookhepan se jawaab diya usse Priya ka yaha aana bilkul bhi accha nahi laga tha
Priya ko bhi Sameer ki ye baat accha nahi laga lekin wo yaha jis kaam ke liye
yaha aayi thi uss baare me kehti hai
Priya:- koi drama karne nayi aayi hun main balki drama to tum log kar rahe ho
Priya ne bhi gusse me Sameer ko jawaab diya Sameer ko bhi Priya ki iss jawaab
par bohat gussa aaya lekin usne apna gussa daba kar kaha
Sameer:- dekho Priya main abhi majaak karne ka mood me nahi hun aur naahi
tum jaiso se majaak karna chaahta hun behtar yahi hoga ki tum apna bakwaas
band karo aur jao yaha se Sameer ne apni baato se to gussa ko chhipaa liya
lekin uski aankho me abhi bhi gussa dikh raha tha Priya bhi ye dekh leti hai aur
usne bhi der na karne ki sochi
Priya:- majaak to main bhi nahi karna chaahti tum logo se lekin jo tum log kar
rahe ho wo majaak nahi to aur kya hai tum hi bade shaan se kehte the na ki
tumhe ham se koi matlab nahi aur ham apna kaam dekhe tumse koi matlab na
rakhe ham to apni hi duniya me khush hai to fir ye tumhaara dost Shruti kyu aake
bina wajah dhamki deti hai kyu abb ye hamaari maamlo me abb taang adaa rahi
hai? jawaab do Sameer aur behtar yahi hoga ki tum hame samjhaane se pehle
apne iss dost ko samjhaao jo problem hamaaare bich me tha wo kam ho raha
tha lekin ye ladki fir se usko badhaana chaah rahi hai Priya ne apni puri baat
Shruti ko ghurte hue kaha Shruti ek dam normal behave kar rahi thi jaise usse
pehle hi pata tha ki ye sab hone waala hai jab Priya ne apni baat khatam kiya to
Sameer ne bina Shruti ki taraf dekhe sidha Priya se kaha
Sameer:- tum log ki aadat si ho gayi hai abb kuch pal to shaant rehte ho fir kuch
plan karke tamasha karte ho pehle wo Karan aur ab tum kuch pal shant reh kar
aa gayi ek aur plan bana kar lekin har baar ki tarah tum logo ka plan bekaar aur
kisi kaam ka nahi kya soch kar aayi thi hamaare dosti me daraar paida karogi
mujhe Shruti par pura bharosha hai wo aisa kuch bhi nahi kar sakti tum chaahti
ho ki main tum jaiso ki baato me aakar apne dost pe shak karu aur usse sawaal
jawaab karu to fir ye tumhaara galatfehmi hai chaahe tum log jitna bhi planning
karo mera Sameer aur Shruti ke saath dosti hai usse todna to dur hilaa bhi nahi
paaogi abb jao aur koi dusra plan taiyaaar karo Sameer ki baat par Shruti
Sameer ko hairaani se dekh rahi thi usse yakin to tha ki Sameer ussi ka saath
dega lekin Sameer uss par itna bharosha karta hai ye usne socha nahi tha Priya
ko Sameer ki baat par bohat gussa aaya usne socha nahi tha ki Sameer Shruti
par itna andha tarike se vishwaas karti hai wo itna to samajh gayi thi ki wo
Sameer ko samjhaa nahi paayegi
Priya:- Sameer hamaare bich me bohat si problem hai ladaayi hai tum hamaare
dushman jaise ho lekin mujhe laga tum utna buraa insaan nahi ho baat ko
samajhte ho lekin aaj tumhaare baare me ek aur baat pata chal gaya tum se baat
karna bhi bekaar hai itna keh kar Priya waha se gusse me nikal gayi Sameer ne
aaj jo kiya usse dekh Shruti bohat khush ho gayi abb Shruti ko laga ki yahi sahi
mauka hai Sameer ka vishwaas aur jitne ka
Shruti:- Sameer Shruti thoda emotional hone ka naatak kar Sameer se kuch
kehne waali thi lekin Sameer ne usse bich me rok kar kaha
Sameer:- nahi Shruti tumhe saabit karne ki jarurat nahi hai ki tumne kuch nahi
kiya vishwaas hai tum par koi bhi aake kuch bhi bol dega to kya main vishwaas
karke apne dost par shak karunga kya? waise bhi wo log to yahi chaahte hai ki
hamaari friendship me daraar aa jaaye kehte hai na unity is strength jab tak ham
saath hai koi hamaara kuch nahi bigaad sakta Sameer ne jis tarah se kaha tha
usse to yahi saabit ho raha tha ki Sameer ko Shruti par pura yakin hai jab Shruti
ko laga ki Sameer uss par pura vishwaas karta hai aur ye vishwaas Priya nahi
tod sakti tab usse aur himmat mila apne plan ko anjaam dene ka kisi bhi tarah
wo Sameer ka Karan aur Priya se dushmani badhaana chaahti thi iske liye usne
Sameer se ek baar fir kaha
Shruti:- lekin aisa kab tak chalega Sameer wo log kuch bhi karenge aur ham sab
dekhte rahenge aaj unn logo ne hamaari dosti par baar kiya hai pata nahi kal
himmat aur badhne par kya karenge iss mushibat ki paed ko badhne dene se
pehle hi ukhaad phekna chaahiye ham log chup hai issi liye unn logo ki himmat
badh rahi hai Shruti ka ye tir thik nishaane par laga Sameer bhi uski baat par
sehmat ho gaya
Sameer:- sahi keh rahi ho tum main bhi soch raha hun unhe sabak sikhaane ka
wakt aa gaya hai bohat mauka diya hai hamne unhe lekin unhe ye sab majaak
lag raha hai kuch plan to karna hi hoga
Shruti:- han jaldi se unhe majaa chakhaayenge tab unhe pata chalega unhone
kisse panga liya hai
Sameer:- nahi jaldi nahi intejaar ka fal meetha hota hai thoda intejaar karke aur
acche se soch kar ek accha sa plan banayenge tab wo log hamaara piccha
chhodenge jaldbaazi ka kaam to Priya aur Karan kar rahe hai aur har baar unka
plan kharab ho jaata hai hame bhi aisi bhool nahi karni chaahiye Shruti ko
Sameer ki ye baat accha nahi laga lekin filhaal yahi kaafi tha ki usne Sameer ki
dimaag me badle ki feeling bhar diya hai aur plan banaabe par majboor kar diya
hai iske baad wo bhi Sameer ko bye bol kar apne ghar ke liye nikal jaati hai
Shruti ke jaane ke baad Sameer aur Rajesh bhi bike se nikalte hai Sameer to ye
sab bhul kar fir se normal ho gaya lekin Rajesh bohat der se abhi hui ghatna ke
baare me soch raha tha usse Priya ki baat me koi jhuth najar nahi aa raha tha
Shruti ki harkat par wo kuch din se notice kar raha tha usse Shruti thoda ajeeb
lag raha tha aaj bhi wo Shruti ki chehre ki bhaaw padh raha tha lekin uske
samajh me kuch nahi aa raha tha ki Shruti ke dimaag me aakhitr kya chal raha
hai aur wo ye sab kyu kar rahi hai jab usne Sameer ki mouh se planning ke
baare me sunaa usse lag raha tha kuch to galat hone waala hai aur jo ho raha
hai accha nahi ho raha bhale hi Sameer Divya ke khilaaf koi planning nahi kar
raha tha lekin fir bhi Sameer ki ye baat Rajesh ko accha nahi laga wo chaah kar
bhi Sameer ko samjha nahi sakta tha ki Priya ki galti iss baar nahi ho sakti agar
samjhaata to bhi Sameer nahi samjajhta wo Priya aur Karan ki nafrat me ek dam
andhaa ho gaya tha aur upar se Shruti ki jaadu wo abb bas yahi soch raha tha ki
aage kya karna chaahiye jisse baat normal ho jaaye aur kisi ko bina galti ki saza
na bhugatna pade
Next day at lunch time
Roj ki tarah aaj bhi lunch karne ke baad Priya Divya aur Karan park me baithe
the Karan kabhi kabhi najar churaa kar Priya ko dekh raha tha uske dimaag me
kya chal raha hai ye to wohi jaane Priya aur Divya ek dusre se baat karne me
busy the
Divya:- Priya wo Shruti aaj kal kyu tujhse aise behave kar rahi hai? tune kuch
kiya kya?
Priya:- nahi yaar mujhe bhi nahi pata yaar wo aise kyu kar rahi hai? bina koi
wajah ladna chaahti hai pata nahi kya chal raha hai uske dimaag me aur kya
sochti hai apne aap ko jo aise attitude dikha rahi hai
Divya:- mujhe lagta hai tu Sameer se baat kar le ek baar Sameer khud keh raha
hai ki ham usse dur rahe aur uski dost aakar hamse panga le rahi hai
Priya:- usse baat karne ka to koi faaida hai hi nahi Shruti se jyaada to wo attitude
dikha raha hai kal hi maine usse baat kiya tha lekin usne ek baat nahi sunaa ulta
mujhe hi mera koi plan hai keh diya wo apni dost ke baare me kuch sunaa nahi
chaahta
Divya:- mere paas ek idea hai ham Sameer ke maamle me koi dakhal nahi
denge Divya aur bolna chaahti thi lekin Priya ne uski baat kaat te hue kaha
Priya:- ye kya keh rahi hai tu ham Sameer ke maamle me dakhal nahi denge aur
uska wo dost Shruti jo marzi wo karegi aur ham chup baithenge Priya ne gusse
me Divya se kaha
Divya:- pehle puri baat to sunn maine kaha ham Sameer ke maamle me koi
dakhal andaazi nahi karenge lekin jab Shruti hamse bina wajah panga lene
aayegi tab to kuch kar sakte hai na jab Shruti hamse panga legi tab ham usse
itna jaleel karenge ki wo aage se pange lene se pehle jaroor sochegi tab to naa
hame Sameer aur naa kisi ki tension lene ki jarurat hogi tab Shruti iss baare me
Sameer ko kuch keh bhi nahi paayegi jab galti uski ho agar keh bhi fiya aur
Sameer bhi hamse bahas karne aayega tab hamaare paas Sameer ko bhi bohat
kuch sunaane ka mauka milega Divya ne apna idea bata diya Priya bhi uski idea
se sehmat thi tabhi bohat der se chup Karan bhi bola
Karan:- han bohat accha idea hai Sameer ko acche se sunaayenge Karan ki iss
baat par ek baar Divya aur Priya usse ghurti hai lekin kuch nahi bolti idhar Divya
Priya aur Karan ne apna plan bana liya dusri taraf Shruti aur Neha bhi apni baat
me busy the
Neha:- Shruti abb to wo teeno shaant hai na to fir kyu tu jaan bujh kar unse
panga le rahi hai aur ukshaa rahi hai
Shruti:- mujhe to unse jaise nafrat hi ho gayi hai dimaag kharaab ho jaata hai
unhe dekhte hi
Neha:- aur main iska wajah jaan sakti hun
Shruti:- kyu ki wo sab Sameer ke picche pade rehte hai aur Sameer bhi unhe
jyaada hi attention deta hai khaas kar Priya ko ye baat mujhe bilkul pasand nahi
aati
Neha:- wo log Sameer se panga lete hai to tujhe usme kya problem hai Sameer
bhi to acche se jawaab deta hai unhe aur har baar unki beizzati kar deta hai
Shruti:- ye to sahi kaha tune lekin main nahi chaahti ki Sameer unko koi attention
de khaas kar Priya ko
Neha:- kahi tujhe Sameer se pyaar to nahi ho gaya aur Priya ko dekh jalan
Shruti:- pata nahi yaar mujhe Sameer se pyaar hai yaa nahi lekin wo bohat
accha lagta hai uski style uska baat karne ka andaaz mujhse dosti dushmano ka
band bajaana jo dil me aaye wo khul kar bolna dil karta hai ki usse baat karta
rahu usse dekhti hi rahu
Shruti muskuraate hue boli
Neha:- bas kar yaar aur kitna taarif karegi uski
Shruti:- kyu tujhe kya problem hai
Neha:- nahi mujhe koi problem nahi hai lekin tujhe problem ho jaayegi agar tune
Sameer ko jaldi se propose naa kiya to wo Priya Sameer ko lekar bhaag jaayegi
Neha ne haste hue kaha to Shruti ka gussa Priya ka naam sun kar firse bhadak
gaya
Shruti:- wo Sameer ko leka kya bhaagegi agar mujhe aur gussa aaya to usse hi
iss duniya se bhaga dungi wo ladki kya samajhti hai apne aap ko uski awkaat hi
kya hai aajkal bohat ucchal rahi hai aur mera shikaayat bhi kar rahi thi Sameer
se ek warning diya tha lekin wo maan hi nahi rahi baar baar mujhse pange le rahi
hai lagta hai kuch karna padega iska tab jaake isse samajh me aayega kisse
panga le rahi hai ye bas abb kuch hi din me college ka tour hai Priya bhi jaroor
aayegi tab majaa chakhaaungi usse maine to ek idea soch bhi liya hai itna kehte
hue Shruti ki chehre par ek kutil muskaan aa jaata hai
Neha:- kya planning kar rahi hai tu? kuch khatarnaak to nahi hai Neha ne thoda
darte hue kaha usse pata tha ki Shruti badla ke liye kisi bhi hadd tak jaa sakti hai
tabhi lunch break over hone ka bell bajta hai
Shruti:- wo to ussi wakt pata chalega chal abb time bhi khatam ho gaya class ka
aaj Sameer college nahi aaya hai iss liye tujh se baat kar rahi hun aage se
dhyaan rakhna aur college me mujh se kabhi mat milna agar Sameer ne mujhe
tere saath baat karte dekh liya to pata nahi wo kya karega main usse kisi bhi
kimat par apna dosti nahi todna chaahti itna keh kar Shruti class me chali jaati
hai uske chehre par ek kutil muskaan tha aur wo bas tour ka besabri se intejaar
kar rahi thi Priya ko nukshaan pahunchaane ka aise hi kuch din beet gaya sab
kuch normal dikh raha tha lekin asal me thaa nahi Shruti besabri se college tour
ka intejaar kar rahi thi taaki wo apna pehla target yaani ki Priya se badla le Priya
aur uske dost to apni hi life me busy the unhone Shruti ke baare me kuch socha
nahi tha lekin ek baat tay kar liya tha ki agar Shruti unse badtameezi karegi to wo
Shruti ko acche se sabak sikhaayegi Sameer ne to pehle socha tha ki Priya aur
uski team ko sabak sikhaane ka time aa gaya hai aur kuch planning bhi kar raha
tha lekin jab usse laga ki Priya aur uski team bilkul shaant pad gayi hai to usne
apne iraade badal diya aur apni hi life me khush rehne ka socha sabkuch shaant
hi tha Shruti ke shaitaani dimaag ko chhod kar bohat jald uska intejaar bhi
khatam hua aaj sab log subah hi nikal rahe hai tour ke liye gaadi me chhadhte
wakt usne Priya ko nafrat ke saath aankh dikhaaya to Priya ne bhi usse badle
me aankh dikhaa diya Priya bhi issi pal ka intejaar kar rahi thi ki wo bhi Shruti ko
dikhaa sake ki wo sab kuch seh kar baithne waali ladki nahi hai Priya ki aankh
dikhaane se Shruti ko aur bhi gussa aaya lekin filhaal usne apne gusse ko
control karke apne plan par focus karne ka socha wo kal apne birthday ke din
Priya ko sabke saamne beizzat karne ka soch rahi thi kuch hi der me sabhi
students apni apni jagah par baith gaye aur bus nikal pada tour ke liye Sameer
Rajesh aur Shruti paas me hi baithe the to Priya Karan aur Divya bhi ek saath
the Sameer ki team masti karte hue safar kar rahe the to Priya ki team bilkul
khaamosh thi Priya aur Karan ko to Sameer ki baat bilkul bhi pasand nahi aa
raha tha bhale hi Sameer unse related koi bhi baat nahi kar raha tha wo dono kisi
tarah se khud par control kiye Sameer aur uski team ki baat ko ignore karne ki
koshish kar rahe the safar ki dauraan Sameer ne Priya aur uski team ki taraf ek
baar bhi nahi dekha Shruti Sameer se najar churaa kar kabhi kabhi Priya ko
nafrat ki nigaaho se dekh leti Rajesh bhi Shruti ki taraf hi dekh raha tha aur
samajhne ki koshish kar raha tha ki aakhir Shruti ke dimaag me kya chal raha hai
issi tarah Sameer ke liye ye safar mushkil me kata to Priya aur uski team ke liye
ye safar kaafi boring rahi sabhi students ek pahaadi ilaake ki taraf jaa rahe the
ghumne ke liye unn logo jaha ghumne jaa rahe the uss jagah me jungle nadi
unchi unchi parvat jharna aur bhi kayi aisi cheeje tha jaha ghum kar wo sabhi
nature ko kaafi enjoy kar sakte hai bohat dino ki padhaayi ki thakaan ki wajah se
wo log kuch relax hone ke liye aaye the tour par uss jagah par pahunchte
pahunchte shaam ho gaya tha to teachers ne decide kiya ki wo sab aaj raat hotel
me rukenge aur kal subah hi jaayenge uss area ka visit karne raat me sabhi
apne apne kamre me the aur thakaan ki wajah se rest kar rahe the sabhi soch
rahe the ki kal kya karna chahiye kal ki din ko kaise yaadgaar banaaye aur kis
tarah se tour ko enjoy kare siwaa Shruti ke wo tour ko enjoy karne ki jagah ye
soch me busy thi ki kaise wo Priya se apna hisaab baraabar kare Shruti ko Priya
se iss tarah nafrat ho gaya thaa ki wo har haal me Priya ko nukshaan
pahuchaana chaahti thi wo nafrat aur badle me iss tarah andhi ho gayi thi ki usse
to ye bhi samajh me nahi aa raha tha ki wo kya karne jaa rahi hai usse to apna
ek bhi galti najar nahi aa raha tha bas ek baat thaan liya tha ki wohar haal me
Priya ko sabak sikhaayegi aur issi soch ke saath kal jo bhi hone waala hai wo
accha to bilkul bhi nahi hone waala hai kal Shruti jo bhi karne waali hai uss wajah
se Sameer aur Priya ki lifeme bohat asar padne waala hai
Next day
Sabhi students ek hi hotel me ruke the baahar ghumne se pehle ye decide hua ki
sabhi 3 groups me divide hokar ghumenge tour ke liye bhi 3 teachers ke group
the students ka number 30 ke kareeb the to decide hua ki 1 group me 1 teacher
aur 10 students teacher group ka lead kar rahe the aur students ka control bhi
jaise students ko apna manmaani nahi karne dena aur kisi bhi jagah se ghumne
par rona students ke bich agar kisi wajah se fighting hua to unhe rokna aur kisi
tarah students ko sahi salaamat waapas hotel tak laana aur sabse important
cheej ki peacefull environment me bina koi tamasha student maja kar sake aur
tour ka aanand le subah ke kareeb 7:00 am par sabhi groups divide hokar nikal
pade ghumne ke liye ek group riverside ghumne gaye dusre hills ki taraf aur
teesra uss shehar ko ghumne lekin lunch aur snacks ke time waapas hotel me
aana tha aur fir dusri jagah ghumna and shaam ko finally hotel me aana jab
groups ka divide hua to luckily ya unluckily Sameer ki team aur Priya ki team
same group me aa gaye iss baat se kisi ko problem nahi tha Sameer aur Priya
ne iss baat ko ignore kar diya lekin Shruti ko ye baat bilkul bhi accha nahi laga
lekin wo kuch nahi kar paayi bas gusse ki ghoont ko peeti rahi Sameer aur Priya
ka group pehle riverside ki taraf gaye Sameer aur Shruti saath saath chal rahe
the Rajesh unse thoda picche tha Shruti ka Sameer ka itna paas hona Rajesh ko
bilkul bhi accha nahi lag raha tha Rajesh ko pehle se hi Shruti accha nahi lagti thi
lekin abb to usse Shruti par shak bhi ho raha tha ki jarur ye ladki koi na koi plan
kar rahi hai aur jarur iske dimaag me kuch chal raha hai iss liye wo Sameer ke
paas aane ka kisi bhi mauke ko nahi chhodti Shruti ke aane se Sameer aur
Rajesh ki friendship me kuch khaas asar nahi pada tha Sameer aaj bhi Rajesh
se waise hi baat karta hai jaisa pehle karta tha kabhi kabhi Sameer ko bhi lagta
tha ki Shruti jabardasti uske paas aane ki koshish kar rahi hai lekin wo dosti
samajhkar ignore kar deta aaj bhi Shruti Sameer ko paka rahi thi apni bakwaas
baato se Sameer bechara bhi na chaahte hue sab sun raha tha aur Shruti ko
buraa na lage iss liye kabhi kabhi reply bhi kar deta tha Shruti ki iss pakaao
baato se Sameer hi nahi balki sabhi pakk gaye the baaki ke students aur teacher
bhi lekin kisi ne kuch nahi kaha sab yahi chaahte the ki jaldi se wo log nadi
kinaare pahunch jaaye aur Shruti ki inn pakaao baato se bach jaaye kuch hi der
me sabko raahat mil hi gaya sab log nadi ke paas pahunch gaye aur sabhi apne
apne dosto ke saath Shruti se dur jaakar aaram karte hue baat karne lage Priya
Karan aur Divya bhi Sameer Shruti aur Rajesh se thoda dur jaakar apne baato
me busy ho gaye Rajesh aur Divya ka haal ek jaisa tha rajeah Sameer aur Shruti
ki bakwaas baato se pareshaan tha to Divya Priya aur Karan ka lekin wo log kar
bhi kya sakte the unki bakwaas sunne ke alawa Sameer aur Shruti baat kar rahe
the aur Shruti ki dimaag me ek baat yaad aa gaya aur Priya ki taraf gusse se
dekhte hue thoda jor se Sameer se bolti hai taaki uski baat Priya aur uski team
sunle
Shruti:- Sameer kya tumne kisi ko marte hue dekha hai khaaskar nadi me dubkar
Shruti ki iss baat se Priya ki team Rajesh aur Sameer bhi chaunk gaye
Sameer:- Shruti ye tum pucch kya rahi ho ye kisi ke marne ki baat bich me kaha
se aa gaya? tum bhi baatko kaha se kaha pahucha deti ho lekin Shruti to Priya
aur Karan ko dekh itna gussa ho gayi thi ki usse ye bhi pata nahi tha ki wo kya
bol rahi hai aur baaki me sab kya soch rahe hai usne apni baato ko jaari rakhte
hue kaha
Shruti:- tumhe nahi lagta ki hamaare dushman iss nadi me dub kar mar jaaye
Shruti ne fir se Priya ki taraf nafrat se dekhte hue kaha Priya aur Karan ko Shruti
ki iss indirect baat par bohat gussa aaya lekin filhaal wo ladne ke mood me nahi
the unn dono ne aapas me dhire se baat kiya ki Shruti ki bakwas sunne se accha
wo hi Shruti se dur chale jaaye bohat dino ke baad life ko enjoy karne ka mila tha
iss tour ki wajah se warna college ki padhaayi aur picchle kuch dino ki Shruti ki
baato se unki life ekdam boring ho gaya tha 2 din ke iss tour ko wo log khul kar
jeena chaahte the iss liye wo teeno hi Shruti se bahas na karte hue Shruti se dur
chale gaye unn teeno ke jaate hi Sameer hairaani me Shruti se kehta hai
Sameer:- Shruti tum ye kaise paagalo waali baat kar rahi thi wo hamaare
dushman hai iska matlab ye to nahi ki wo marr jaaye aur unhone aisa kya kar
diya ki ham unki marne ki dua kare mujhe tumhaari ye baat bilkul bhi pasand
nahi aaya Sameer ne hairaani aur gusse ke saath kaha abb Priya aur uski team
jaa chuki thi toto Shruti ka gussa kam ho gaya abb usse samajh me aa gaya ki
gusse me usne kya kya keh diya aur uski baat Sameer ko bhi pasand nahi aaya
usne turant baat ko badal kar firse pehlr jaisa hi maahol bana diya lekin Rajesh ki
shak ko aur badha diya aise hi wo sab baat kar rahe thi ki Shruti me mobile me
phone aata hai aur usse pick karne wo thoda ekant jagah par jaati hai Rajesh ko
bhi accha mauka mil gaya Sameer se baat karne ke liye jo wo Shruti ki
maujoodgi me nahi kar sakta tha
Rajesh:- Sameer tujhe nahi lagta ye Shruti aajkal kuch chhidhi hui rehti hai aur
ajeeb harkat karne lagi hai Rajesh ki iss baat par Sameer bas muskuraata hai
kuch nahi bolta jisse rajesg ka gussa aur badh jaata hai
Rajesh:- main kya koi comedy kar raha hun jo tu aise hass raha hai jara uski
harkat par dhyaan dena aur acche se dimaag ka use karke sochna ki wo aise
kyu kar rahi hai Rajesh bohat gussa ho gaya tha lekin Sameer muskuraate hue
jawaab deta hai
Sameer:- tu to bechaari ke picche hi padd gaya yaar
Rajesh:- tujhe wo bechaari lag raha hai Sameer dekh abhi mera dimaag kharaab
hai please abhi majaak mat karna itna kuch kar e ke baad bhi tujhe wo echaari
lag rahi hai Rajesh ne gusse me paas pade ek patthar par ek laat jor se maara
aur apna fraustration nikaala
Sameer:- chill yaar wo aaj chhiddhi hui hai aur mujhse gussa hai iss liye wo sab
aisa kar rahi hai aur apna gussa Priya par nikaal diya kuch din pehle Shruti ne
mujhe bataaya tha ki aaj uska birthday hai maine usse wish nahi kiya issiliye wo
gussa hai usse aise tadapte dekh majaa aa raha hai lekin bohat jald wish
karunga wo bhi alag tarike se abhi to ham riverside hai lunch ke baad ham
shehar me ghumenge wahi se main Shruti ke liye gift kharidunga aur jab snacks
ke baad hills me ghumenge tab usse alag andaaz se Shruti ko wish karunga
Sameer ne apni baat bata diya lekin Rajesh ko yakin tha ki Shruti ki aisi harkat ki
wajah Sameer ka wish na karna nahi hai jaroor kuch aur baat hai usse laga ki
abb Sameer se baat karke koi faaida nahi kyuki Sameer uski baat nahi samjhega
iske baad Rajesh chup rehta hai aur kuch der baad Shruti bhi unhe join kar leti
hai iske baad sabhi students thodi der ke liye riverside ghumte hai aur lunch ke
time me hotel waapas aa jaate hai lunch ke baad wo log shehar ghumne nikal
jaate hai Sameer Shruti ke liye gift kharidta hai to Shruti bhi tour ki sabhi students
ke liye gift kharidti hai Divya Priya aur Karan ko chhod kar aisa karte wakt uske
chehre me ek kutil muskaan aa jaata hai naa jaane kitne din se wo issi din ka
intejaar kar rahi thi aur wo Priya ka beizzati karke apne insults ka badla le sake
usse abb bas shaam hone ka intejaar tha jab sabke saamne wo Priya ko beizzat
karke apna badla le sake Priya aur uski team bhi thoda shopping kar leti hai aur
fir sabhi waapas snacks ke liye hotel laut jaate hai snacks ke baad wo sab
pahaadi ilaake ghumne nikal padte hai jaha hone waali ek ghatna Priya ki life me
bohat bada asar daalne waala tha Sameer aur Priya ki team aage ghumne ke
liye nikle hi the ki thodi dur chalne ke baad Shruti Sameer se kehti hai
Shruti:- Sameer main aur aage nahi chal paaungi thoda sar dard(headache hai)
aur rest karna chaahti hun aasmaan me baadal bhi aa gaye hai aur baaris bhi ho
sakti hai aur aise me mera nikalna thik nahi hoga
Sameer:- han thik keh rahi ho tumhe abhi rest karna chaahiye agar tum kaho to
main aur Rajesh bhi ruk jaate hai Sameer ne fikar jataate hue kaha Shruti kuch
bolti isse pehle hi Rajesh kehta hai
Rajesh:- excuse me Sameer tujhe yaha rukna ho to ruk main nahi rukne waala
Rajesh ne Shruti ki taraf gusse se dekhte hue kaha aur uski baat se pata chal
raha tha ki kitna gussa dabakar rakha hai Rajesh ne Shruti ke liye apne dil me
Sameer:- ye kya keh raha hai Rajesh Shruti hamaari dost hai aur tu uske baare
me aisa kaise bol sakta hai Sameer bhi thoda gussa ho gaya Rajesh par
Rajesh:- hamaari nahi sirf teri dost hai maine kabhi isse apna dost nahi maana
aur tera yaadasht acchai hai to tujhe ye pata hona chaahiye ki hamaare bich
ladaayi bhi ho chuki hai aur main kabhi isse baat bhi nahi karta main to sirf iss
liye tera saath rehta hun kyu ki tu mera dost hai main iss ladki se koi matlab nahi
rakhna chaahta aur tere kehne par iss ladki ke liye apna trip miss nahi karna
chaahta tum dono decide karlo aur jaldi se bataao ki tujhe aana hai ya nahi
Rajesh ki har aawaj me Shruti ke liye nafrat tha udhar Shruti bhi bohat gussa ho
gayi thi Rajesh ki baat sunkar lekin wo show nahi karti bas apne mann me sochti
hai
Shruti:- (in her mind) jitna bolna hai bol le pehle Priya aur uski team ko maja
chakhaaungi aur uske baad tera number aayega Shruti ye soch hi rahi thi ki
Sameer ne Rajesh se kaha
Sameer:- tu jaa aur maje kar main Shruti ke paas rahunga shaayad usse meri
jarurat pad jaaye Sameer ki baat sunne ke baad Rajesh jaane hi waala tha ki
Shruti ki voice sun ruk gaya
Shruti:- nahi Sameer tum bhi jao bas chhoti si sar dard hai rest karungi to thik ho
jaayega maine to mausam ko dekh jyaada tabiyat na bigad jaaye ye soch kar
rest karne ka decision liya hai warna mujhe bhi jaane ka mann tha
Sameer:- nahi mera jaane ka mann nahi hai (Rajesh ki taraf dekhte hue) kisi ki
baat se mera mood kharab ho gaya hai
Shruti:- nahi Sameer tum jao main ye nahi chhahti ki tum meri wajah se yahi raho
thoda sa sardard hai rest karungi to thik ho jaayega aur apna mood thik karlo aur
jaakar enjoy karo roj aise ghumne ka mauka nahi milta hai aur jab mil raha hai
tab aisi chhoti chhoti baato ko ignore karke enjoy karna chaahiye fir bhi Sameer
nahi maana wo Shruti ko akele chhod jaana nahi chaahta tha lekin Shruti ke
aage uska kuch nahi chala
Sameer:- arre you sure? main chala jaau
Shruti:- abb jyaada der mat karo pehle hi tum sab late ho gaye ho
Sameer:- ol thik hai main jaa raha hun apna khayaal rakhna itna kehkar Sameer
aur Rajesh nikal gaye Rajesh ko abb raahat mila Shruti ki bakwaas se Shruti ko
koi sar dard nahi hua tha uska mood kharab tha Sameer ka usko wish na karne
ki wajah se aur agar wo ghumne jaati to waha pe Karan aur Priya bhi mil jaati
aise me uska bigda hua mood aur kharaab ho jaata aaj uska birthday tha to wo
apna mood aur kharab karna nahi chaahti thi Sameer ko jabardasti bhejne ke
pjcche bhi ek maksad tha jab Rajesh ki baat se Sameer gussa ho gaya tha tab
Shruti ko ek mauka mila Shruti jaanti thi Sameer jaldi gussa nahi hota hai aur jab
hota hai uska gussa bohat khatarnaak hota hai aise me agar Sameer ko Priya ya
Rajesh par gussa aaya to tamaasha hona tay tha abb ye sab baat ko bhul kar
Shruti apne birtbday aur Priya ko beizzat karne ka sochne lagi udhar raaste me
Sameer aur Rajesh khaamoshi ke saath chal rahe the Sameer Rajesh se naraaj
tha to Rajesh Sameer ka gussa kam hone ka intejaar kar raha tha taaki wo
Sameer se baat kar sake jab bohat der chalne ke baad bhi Sameer ka gussa
shaant nahi hua to Rajesh ne keh hi dia
Rajesh:- Sameer mujhe tujhse kuch kehna hai Rajesh ki baat par Sameer Rajesh
ko gusse se ghur kar dekhta hai aur kehta hai
Sameer:- Rajesh please abhi mera mood thik nahi hai aur main koi baat karna
nahi chaahta lekin Rajesh ko kuch fark nahi pada wo apna baat har haal me
kehna chaahta tha
Rajesh:- pehle ye bata ki tu gussa kyu hai
Sameer:- teri wajah se tune jo Shruti se kaha wo mujhe bilkul accha nahi laga aaj
uska birthday hai aur tune aaj uske saath aise baat kiya
Rajesh:- main tujhe pehle bhi keh chuka hun mujhe usse koi matlab nahi hai aur
uske liye accha din ho ya bura isse bhi matlab nahi main bas ye kehna chaahta
hun tujhse ki tu apne dost ko samjha de kabhi Divya aur mere baare me kuch
ulta sidha baat na kare aur mujhe hukum na de teri wajah se bardaast kar raha
hun warna mujhe uss ladki se kii matlab nahi aur main uski koi bhi baat maana
nahi chaahta wo bas apme kaam se hi matlab rakhe to accha hoga wo bas
tujhse dosti rakhe mujhse nahi main bas tujhse dosti rakhna chahta hun aur yahi
bataana chaahta hun ki tu uss ko sambhaal le baat bigadbe se pehle main bhi
apni taraf se kosish karunga usse dur rehne ka main ye nahi kahunga ki tu usse
dosti chhod de teri life hai jo karna hai kar mujhe koi problem nahi tera najdeeki
uske saath badhe yaa fir dooriya badhe main bas usse dur rehna chaata hun
Rajesh ki baat se hi pata chal raha tha ki wo kitna serious tha wo sach me Shruti
ki baat se bohat pak gaya tha aur usse dur rehne me hi apba bhalaayi maan
raha tha uski puri baat sunne ke baad Sameer bola
Sameer:- ye sab baad me sochenge abhi ghumne aaye hai iss baat se hame
hamaara mood kharab karna nahi chaahiye chal abhi ghumte hai baad me iss
baare me baat karenge Sameer ki baat se lag raha tha ki wo relax hone ki
koshish kar raha hai lekin abhi tak ho nahi paaya hai iske baad dono map se
address dekh pahuch jaate jai us jagah jaha par sabhi gaye the aur enjoy kar
rahe the uss jagah ka maahaul dekh Rajesh aur Sameer apni tension bhul enjoy
karne lage der se hi sahi lekin Rajesh aur Sameer uss pahadi ilaake me pahunch
hi gaye waha pe pahunch kar dekha to sabhi apni dosto ke saath ghum rahe the
aur masti kar rahe the teacher ne bhi keh diya tha ki jyaada dur na jaaye aise hi
ghumte ghumte Sameer ki najar Priya aur uski dosto par jaati hai Priya aaj bohat
dino ke baad aise muskuraa kar enjoy kar rahi thi wo bohat hi pyaari lag rahi thi
lekin Sameer ko isse kuch fark na pada wo usse ignore karke dusri taraf jaane
lagta hai Sameer aage badh hi raha tha ki Rajesh ki aawaj se ruk jaata hai
Rajesh:- mujhe Divya bulaa rahi hai kuch time ke liye usse baat karke aata hun
tujhe jaana hai to jaa aur intejaar karna hai to kuch der ke liye ruk Rajesh ki
aawaj se lag raha tha ki abhi bhi uska gussa khatam nahi hua tha
Sameer:- ok jaa main intejaar karta hun lekin jaldi aana Sameer ne muskuraate
hue kaha wo picchli baato ko bhul jaana chaahta tha lekin Rajesh kuch kahe bina
hi chala gaya Rajesh aur Divya kareeb aadhe ghante tak baat karte hai Sameer
bore ho gaya tha lekin fir bhi intejaar karta raha Rajesh aur Divya ko haste baat
karta dekh uska frustration bhi badh raha tha lekin wo kar bhi kya sakta tha
Rajesh ne to usse keh diya tha ki agar wo rukna nahi chaahta to jaa sakta hai
khair kuch der baad uska intejaar khatam ho gaya Divya se baat karne ke baad
Rajesh aa gaya Rajesh ke chehre me abhi bhi muskaan tha
Sameer:- lagta hai bohat gehri dosti hai iss liye itni der baat kar raha tha
Rajesh:- han bohat jyaada Rajesh bohat time baad Divya se baat karne ke baad
aaj muskuraaya tha aur wo Sameer se fir se ladkar apna mood kharab karna
nahi chaahta tha aur jitna ho sake utna Sameer ki baat ko ignore karna chaahta
tha kuch der ke liye
Sameer:- ye dosti hi hai yaa dosti se badhkar Sameer ko laga yehi accha wakt
hai Rajesh se baat karne ka aur ladaayi khatam karne ka Rajesh bhi accha mood
me dikh raha tha aur shaayad isse accha mauka Sameer ko nahi mil sakta tha
Rajesh:- han bohat acche dost hai hum tu jis tarah se pucch raha hai isse to yahi
lag raha hai ki tu mujhe indirectly puch raha hai ki kahi main Divya se to nahi
karta to iska jawaab ye hai ki abhi tak pyaar ke baare me socha nahi lekin kuch
pata nahi aage kya ho aur hamaari dosti bhi itni hi gehri hai jitna Shruti aur tera
Rajesh ko abhi Sameer ki har ek baat kadwa lag raha tha aur chhidhte hue usne
Sameer ko jawaab diya
Sameer:- ajeeb dosti hai hamaara tu aur main bohat acche dost hai Shruti meri
doat hai aur Divya teri Shruti tujhse nafrat karti hai aur Divya mujhse pata nahi
aage kya kya hone waala hai hamaare saath Sameer ne Rajesh ka gussa kam
karne ke liye muskuraate hue kaha lekin Rajesh ka daba hua gussa abb baahar
nikal raha tha
Rajesh:- bilkul galat Shruti jaisi ghatiya ladki nahi hai Divya wo tujhse nafrat nahi
karti usse kisi ko vewajah nafrat karne ka faltu time nahi hai jaise ki Shruti ke liye
Sameer tu bata main to Shruti se baat nahi karta tha aur naahi Divya Priya aur
Karan ka bhi usse koi lena dena nahi tha to kyu wo sabhi se nafrat karti hai chal
maan leta hun ki wo tujhe apna dost maanti hai aur tere dushman ko apna
dusman to fir teri dusmani mujhse aur Divya se to nahi hai to fir wo kyu hamaare
picche padi hai shaayad baat samajh me aa gaya hoga tujhe aur tujhe itna hi
kahunga ki galti se bhi Divya ka comparison uss Shruti se mat karna kaha shaant
aur sabka care karne waali Divya aur kaha wo bewajah sabse nafrat karne waali
Shruti galti se bhi compare mat karna warna accha nahi hoga tune aaj tak shaant
Rajesh ko dekha hai agar mera gusse ki aag bhadak gaya to sab kuch jal ke
rakh ho jaayega Rajesh ne apne andar kaid gusse ko aaj baahar nikaal hi diya
Shruti ke liye jitna nafrat tha usse baahar nikaal hi liya last ki lines ko bolte hi
uske aankhe gusse se laal ho gaya Divya se baat karne ke baad chehre me jo
muskaan aaya tha pal bhar me wo gaayab ho gaya Sameer to Rajesh ko bas
dekhta hi raha kabhi socha nahi tha usne ki Rajesh itna gussa bhi ho sakta hai
usne socha ki filhaal bahas karna thik nahi hai jaise bhi karke Rajesh ko shaant
karaana chaahiye
Sameer:- teri baat bhi apni jagah sach hai mujhe bhi nahi pata yaar Shruti aisa
kyu behave kar rahi hai main usse samjha dunga ki tujhse koi matlab na rakhe
aur tujhe apne tarike se jeene de abb to thik hai na Sameer ko umeed tha ki abb
Rajesh ka gussa shaant ho jaayega
Rajesh:- ha jarur samjhaana aur jitna jaldi ho sake utna hi accha hai warna pata
nahi main lya kar baithu
Sameer:- accha shaant ho jaa yaar bol dunga usse abb to khush hai na chal abb
gussa thuk de aur pehle jaisa Rajesh ban jaa aur chal enjoy karte hai chal
pahaad par chhadhte hai thodi dur tak Sameer ne muskuraate hue kaha uski iss
baat se Rajesh ka gussa kam ho gaya aur usne bhi socha ki kyu Shruti ki wajah
se apna mood kharab karke trip kharaab kare iske baad dono hi dost chal padhe
ghumne aur masti karne kuch pal baad Rajesh ka gussa bhi khatam ho gaya aur
wo bhi Sameer ke saath normal hokar baate karte hue ghumne laga dono
pahaad ka environment dekh bohat khush ho gaye nayi nayi nahaare aur thandi
hawaayein mehsoos kar ke dil khush ho gaya dono ka chhidiyon ki pyaari aawaj
aur ekaant jagah ghumne me bohat majaa aa raha tha unhe unhe lag raha tha ki
wo alag hi duniya me aa gaye hai shehar ki crowd pollution noise aur ghutan se
dur ek alag hi duniya me ye dono aa gaye hai ye dono aise highum rahe the ki
Rajesh bola
Rajesh:- Sameer tu bhi bohat ajeeb insaan hai yaar khud hi kehta hai ki koi tej
agressive hokar tujhse baat kare ye tujhe pasand nahi lekin aaj to gusse me
maine kitna kuch bol diya fir bhi tu shaant rehkar muskuraate hue mujhe
samjaane laga Rajesh ne hairaani me puccha to Sameer ne muskuraate hue
jawaab diya
Sameer:- tu acche se mujhe nahi jaan paaya yaar gusse me hi sahi lekin tune jo
bhi bola ekdam sach bola aur tu apne andar daba hua gussa baahar nikaal raha
tha agar koi meri galti ke bina mujhse aggresively baat kare to main usse
chhodta tu to mera dost hai yaar tujhse galti ho bhi gayi to bhi maaf kar dunga
lekin tune koi galti kiya hi nahi tha to fir mera gussa hone ka sawaal hi nahi hai
ek baat jaan le tu mera dost tha hai aur rahega Shruti to baad me meri dost bani
hai uski jidd ke saamne main tere saath kabhi bura bartaaw nahi karunga
Sameer ki baat sunn Rajesh bohat khush ho gaya khushi iss baat ka tha ki Shruti
ke aane ke baad bhi unn dono ke dosti par koi asar nahi pada hai ye dono kuch
aage badhe hi the ki tabhi jor se vaarish honw lagti hai aas paas theharne ka koi
jagah bhi nahi tha
Rajesh:- Sameer hame waapas chalna chaahiye ye vaarish jaldi rukne waali nahi
hai niche camp hai chal jaldi se wahi pahunchte hai aur vaarish se bach
jaayenge warna bimaar pad sakte hai ham
Sameer:- han thik kaha chal jaldi se waapas yaha theharne ki jagah bhi nahi hai
pehle niche camp me jaate hai waha se jugaad lagayenge hotel jaane ka aaj
Shruti ka birthday hai aur abhi tak maine usse wish bhi nahi kiya jaldi se jaana
hoga hame itna keh kar Sameer aur Rajesh bhaagne lagte hai niche ki taraf tabhi
unhe ek ladki ki tej aawaj sunaai deti hai bachaao wo dono thodi der ruk jaate hai
dobaara aawaj nahi aata to laga unhe bhram hua hai vaarish ki aawaj me wo fir
se niche camp ki taraf daud lagaate hai ki tabhi fir se ladki ki bachaao koi
hai,help me ka aawaj aata hai iss baar dono sure ho jaate hai ki ye ladki ki aawaj
hi hai
Rajesh:- Sameer sach me koi ladki mushibat me hai yaar chal ham help karte hai
Sameer:- nahi tu jaa main dekhta hun kya mushibat hai uss ladki ka (side me
khaai ki taraf ek ladki ki latakte hue haath ko dekhte hue) wo ladki gir rahi hai
main bachaata hun usse aur bacha lunga tu ruka to teri tabiyat kharab ho
jaayega tujhe sardi lag jaayega tu jaldi se camp ki taraf jaa aur vaarish se bach
main bacha lunga uss ladki ko Sameer ne ladki ki taraf daudte hue kaha tha
Rajesh ko bhi bharosha tha ki wo uss ladki ko bacha lega aur issme uska kaam
nahi tha ulta dono aur bimaar pad sakte the wo niche ki taraf chala gaya Sameer
ne jaise hi apni baat khatam kiya wo ladki ke kareeb pahunch hi gaya aur jaldi se
usne ladki ko upar khinchne ke liye kadam aage badhaaya hi tha ki tabhi wo bhi
fisal gaya wo ladki jo niche girne waali thi wo Priya thi jab Sameer ne kuch
kadam badhaaya Priya ki taraf tab Sameer bhi vaarish ki wajah se achaanak se
slip ho gaya aur girte hi uski mouh se achanak ek ek cheekh nikla ouch ye
cheekh utna tej to nahi tha lekin saamne gir rahi Priya sunn leti hai Priya ko
bachne ki umeed fir se aa gaya aur aawaj se pata chal gaya ki wo ladka ka
cheekh hai Priya bhi madad ke liye boli
Priya:- please mujhe bacha lijiye abb mera haath ka pakad kam ho raha hai
haath fisal raha hai please abhi main marna nahi chaahti please bacha lijiye
mujhe (marne ka dar kise nahi hota saamne maut najar aane se Priya bhi ek
dam dar gayi thi aur Sameer se madad maang rahi thi wo itna ghabra gayi thi ki
uska dar uski aawaj se hi pata chal raha tha aur upar se jordaar vaarish ki aawaj
koi bhi ye nahi keh sakta tha ki ye aawaj Priya ka hai aur Sameer bhi iss haalat
me nahi tha ki wo kiska aawaj hai aur kaun niche gir raha hai iske baare me pata
kare )
Sameer:- aap ghabraaiye mat aapko bachaane hi aaya hun please aap himmat
mat haarna aur kuch der ke liye acche se patthar ko pakade rahiye main gir gaya
hun jaldi se aa rah hun aap khud ko sambhaale rahiye Sameer ne bhi fikar ke
saath kaha wo aage badhte hue Priya ko hausala de raha tha Priya ne bhi
Sameer ki tarah uske aawaj ko nahi pehchaana lekin Sameer ki baat se uska
umeed aur badha ki wo ladka usse bacha lega bas abb usse kuch pal ke liye
khud ko sambhaalna tha Sameer bhi jaldi se Priya ki aur kareeb pahunch gaya
aur jaise hi niche jhuk kar Priya ka haath pakadne waala tha ki fir se Sameer ka
pair fisal gaya aur fir se Sameer gir gaya iss baar girte wakt Sameer ka baaya
haath ek patthaar se buri tarah cheel gaya aur usme se khun girne laga ye Priya
dekh leti hai aur ghabraa jaati hai
Priya:- aap thik to hai na
Sameer:- han thik hun bas pair slip ho gaya tha chinta ki koi baat nahi main aa
gaya hun itna keh kar Sameer gire hue hi thoda aage badh kar apne daaya
haath se Priya ka kalaayi pakad leta hai aur upar khinchne lagta hai lekin khinch
paana bohat mushkil ho raha tha abb Priya hawaa me latak gayi thi niche 100 ft
ka gehra khaai tha bas Sameer ke haath ne usse pakad rakha tha aur koi
support nahi tha jab Sameer ko laga ki wo uss ladki ko aise khinch nahi paayega
tab wo apna dono haath se Priya ka kalai pakad leta hai aur apna saara taakat
istemaal karke Priya ko khinch hi leta hai iss pure ghatna ke dauraan naahi
Sameer ne Priya ko aur naahi Priya ne Sameer ko dekha tha Priya jaise hi upar
aa gayi usne ek lamba saans lekar raahat mehsus kiya wo to shaayad umeed
bhi chhod chuki thi ki wo bachegi thoda idhar udhar dekhke jab wo Sameer ki
taraf dekhti hai tab usse Sameer ka peeth dikhai deta hai wo kuch kehne hi waali
thi ki Sameer jaldi se daudte hue niche ki taraf jaata hai aur kehta hai
Sameer:- sorry lekin main abhi busy hun baat karne ka time nahi hai Sameer ko
Priya ko upar khinchne ke baad firse yaad aaya ki Shruti ka birthday hai aaj aur
usne Shruti ko wish nahi kiya hai aur saam bhi hone laga hai to Shruti bhi uska
intejaar kar rahi hogi wo jaldi se Shruti ke paas jaana chaahta tha aur Priya se
formal baat karke time waste nahi karna chaahta tha Sameer ko baat karna jaruri
mehsoos bhi nahi hua usne apna kartavya pura kiya ladki ko bachakar aur yahi
uske liye kaafi tha Priya ko thoda buraa lagta hai aur thoda afsos bhi hota hai uss
ladke se baat na karne ke liye fir wo sochti hai ki Karan kaha chala gaya jab wo
niche gir gayi thi tab usse bachaane ke liye kehkar fir usse lagta hai ki usse
Karan ne hi bachaaya hai kyuki aaj Sameer aur Karan ka getup luckily same tha
dono ka height bhi laghbhag same hi tha usse lagta hai ki ye ladka Karan hi hai
aur usse thanks kehne ke liye niche camp me chali jaati hai dono apni apni
makshad se niche ki aur jaate hai lekin iss baat se puri rarah anjaan ki inn dono
se thodi dur khada Karan sab kuch dekh raha hai aur kuch soch kar apna haath
ko khud se hi bilkul Sameer ki tarah injured kar leta hai aur wo bhi shortcut lekar
niche camp ki taraf daud laga deta hai niche ek ground par 4 jagah par tent laga
tha vaarish se bachne ke liye teacher aur waha par maujood student ne decide
kiya ki wo log iss vaarish me hotel tak waapas nahi jaa sakte hai aur jab tak
vaarish nahi rukta wo sabhi yahi tent par rukenge aur jaldi jaldi 4 jagah par tent
laga diya Sameer ka niche pahunchne ke saath hi wo apna haath cheel jaane ki
wajah se ghadi nikaal kar ek safe jagah par rakh deta hai aue ek tent me ghus
jaata hai aur thoda paani lekar apne mitti laga hua dress ko saaf karne lagta hai
Sameer khud ko thik kar raha tha ki Karan ne bade saawdhaan hokar uss jagah
se Sameer ka ghadi utha leta hai aur wo bhi kuch der tak Sameer ki najro se
bachne ke liye alag camp me chala jaata hai aur Priya ka intejaar karne lagta hai
kuch time baad Priya bhi niche aa jaati hai aur Karan ke haath me Sameer ka
ghadi aur ghaaw dekh usse yakin ho jaata hai ki Karan ne hi usse bachaaya tha
Priya Karan ke paas jaati hai aur shukriya bhari najar se Karan ko dekhti hai aaj
wo ek alag najar se Karan ko dekh rahi thi Karan ke liye uske dil me izzat aur bhi
badh gaya wo bol to nahi rahi thi lekin ek alag najar se Karan ko dekh rahi thi aur
kuch alag mehsoos kar rahi thi Karan ke chehre me bhi muskuraahat aa jaata hai
aur usse bhi lag raha tha ki bohat jald Priya uski ho jaayegi sab kuch thik karne
ke baad Sameer teacher se request karke hotel ke liye nikal jaata hai teacher aur
Rajesh ne unhe rokne ki bohat koshish kiya lekin wo nahi maana aur teacher ko
jaise taise mana kar hotel ki taraf Shruti ke paas jaane ke liye nikal gaya waha se
jaate wakt usne apna ghadi lete hue jaane ka socha jab wo ghadi ke paas
pahuncha to ghadi ko gaayab dekh usse bohat gussa aaya lekin wo kuch kar
nahi paaya pehle hi usse der ho gaya tha aur aise me aur der nahi kar sakta tha
wo gusse me chal pada hotel ki taraf lekin usse kaha pata tha ki ye to gusse ka
suruwaat hai aage Shruti ka Priya ke khilaaf jo plan tha uski wajah se Sameer ka
gussa aur badhne waala hai aur saath me Sameer aur Priya ki nafrat jo aage
jaakar ek bohat bada tufaan ka rup lene waala hai Sameer teji se hotel ki aur jaa
raha tha wi aur der nahi karna chaahta tha Shruti ko surprise dene ki chakkar me
pehle hi wo bohat late ho chuka tha abb wo bas jaldi se hotel tak pahunchna
chaahta tha usko hotel pahunchne ka itna jaldi tha ki wo ye bhi bhul gaya ki wo
baarish me bhig gaya hai yaa kuch samay pehle wo bohat gussa tha wo bina
ruke bohat teji se hotel ki taraf jaa raha tha raaste me hi ek bakery se usne oder
kiya hua cake le liya aur bina koi der kiye pahunch gaya hotel me aur jaakar
Shruti ke room me knock karne laga Shruti to pehle se hi udaas baithi thi apne
room me aur khud ko hi kos rahi thi ki Sameer ko jaane dekar usne bohat bada
galti kar diya hai khidki se baahar vaarish ko dekh rahi thi ki kab ye vaarish
khatam hogi aur wo sameee se mil paayegi baahar ho rahi tej vaarish dekh kar
usko pata to chal gaya tha ki ye vaarish 1 ya 2 ghante se pehle nahi rukega
matlab kuch pal aur intejaar karna padega Shruti ko Sameer par gussa bhi aa
raha tha ki Sameer kaise uska birthday bhul sakta hai kuch din pehle hi to usne
bataya tha Sameer ko ki aaj uska birthday hai lekin Sameer ne wish karna to dur
thik se baat bhi nahi kiya tha usse sabhi relatives aur khaas dost ne usko wish
kar diya tha lekin Sameer ne abhi tak nahi yahi baatein sochte hue Shruti udaas
ho gayi thi jab uska gate knock hua to gusse me wo door ke paas gayi aur
kholtte hi gate me khade Sameer par baras padi
Shruti:- kyu disturb kar rahe ho mujhe aur kyu baar baar gate knock kar rahe ho
Shruti ne socha koi aur hi hoga aur Shruti uss wakt baat karne ke mood me nahi
thi to apna saara gussa gate par lhade shaks par utaar diya lekin jab usne gaur
se Sameer ko dekha to wo ekdam se hairaan ho gayi usse kuch samajh me nahi
aa raha tha ki kaise react kare
Sameer:- abb apna mouh band bhi karo warna koi macchar ghus jaayega
Sameer ne muskuraate hue kaha
Shruti:- Sameer tum aur tumhaara ye haalat kaise jao pehle apne room me aur
acche se nahaalo warna bukhaar lag jaayega Shruti ki aawaj se hi lag raha tha ki
wo kitna hairaan hai usne Sameer ka iss haalat me aane ka bilkul bhi expect
nahi kiya tha
Sameer:- kuch jaruri kaam ke liye aaya tha warna mujhe koi shaukh nahi vaarish
me aise bhaagte hue aane me apna kaam pura karke hi nahaane jaaunga
Sameer ne muskuraate hue kaha
Shruti:- aisa kaunsa kaam hai ki tum aise vaarish me bhaagte hue aa gaye aur
wo bhi mere kamre me Shruti Sameer ki har baat pe aur bhi jyaada hairaan ho
rahi thi
Sameer:- wo bataane se jyaada dikhaane me hi accha hoga Sameer ne fir Shruti
ki taraf muskuraate hue dekha aur kaha Shruti abb pura confuse ho gayi thi aur
usse kuch samajh me nahi aa raha tha ki Sameer kya kehna chaahta hai
Shruti:- tum paheli kyu bujha rahe ho mujhe tumhaari koi bhi baat samajh me
nahi aa raha jo bhi kehna hai khul kar kaho aur tum kya dikhaana chaahte ho
mujhe iss baar bhi Shruti ki aawaj me hairaani tha
Sameer:- pehle andar aaunga tab hi dikha paaunga na yaa fir gate se hi
bhagaane ka plan hai
Shruti:- oh sorry main bhi na baaato hi baato me tumhe andar bulaana bhul hi
gayi aao andar aao aur jo bhi kehna chaahte ho khul kar bataao iske baad
Sameer room me aata hai aur haath me liya hua plastic ke andar ka cake Shruti
ke haath me pakda deta hai
Shruti:- kya hai ye
Sameer:- yahi to dikhaana chaahta tha tumhe
Shruti:- aakhir isme kya hai jo tum mujhe dikhaane ke liye itne dur se bhingte hue
aaye ho Shruti ne hairaani ke saath kaha aur table me wo cake ka plastic rakh ke
utsukta ke saath khola jab plastic hataa kar dekha to Shruti ko apne aankho par
vishwaas hi na hua jo chehra kuch pal pehle udaas tha abb achanak se muskaan
aa gaya pal bhar me uska dil khush ho gaya saamne ek pyaara sa birthday cake
tha paaya ki Sameer Shruti ka muskuraata chehra dekh muskura raha tha kuch
pal ke liye koi kuch na bola Shruti to bohat khush ho gayi thi aur usse samajh me
nahi aa raha tha ki kya bole Sameer bhi Shruti ka muskuraata hua chehra
dekhne me vyast tha kuch pal yunhi chup rehne ke baad Sameer Shruti ke paas
aaya aur bola
Sameer:- I am sorry Shruti mujhe pehle se hi pata tha ki aaj tumhaara birthday
hai lekin kya karu movies jyaada dekhne ki wajah se dimaag kharaab ho gaya
hai movies ki tarah hi tumhe surprise dena chaahta tha lekin iss chakkar me
bohat der ho gaya aur vaarish ki wajah se aur late jaise taise aa gaya main bhi
na jo baat kehne aaya tha wo bataana chhod bakwaas karne lag gaya happy
birthday Shruti many many happy returns of the day may god continue to bless
your life and give you the desires of your heart Sameer ne iss andaaz me kaha
jaise Shruti se jyaada wo khush hai Shruti ki birthday me Shruti abhi bhi kuch bol
nahi paa rahi thi wo hairaan aur khush dono hi thi uske kaan me baar baar
Sameer ka birthday wish gunj raha tha
Sameer:- abb aise hi khade rahogi ya cake kaat kar khilaaogi bhi kab se wait kar
raha hun Sameer ne majaak karte hue kaha Sameer ne jaise hi ye baat kaha
Shruti ne Sameer ko gale laga liya aur kaha
Shruti:- tum bhi naa majaak karna kabhi nahi chhodoge kitna acche se wish kiya
lekin agle hi pal majaak waise thanks Sameer mujhe itna accha surprise dene ke
liye ye birthday merw liye khaas birthday me se ek hai pehli baar ghar se baahar
celebrate kar rahi hun aur wo bhi ek bohat acche dost ke saath mujhe to laga ki
tum bhul gaye hoge mera birthday par tumhe to yaad tha bohat khushi hui ye
jaankar Shruti bohat khush hokar boli
Sameer:- aise kaise bhul jaata mera dost ka birthday hai main to dosto ke liye
jaan tak de sakta hun to ye birthday yaad karna kaunsa badi baat hai
Shruti:- tum sach me filmy ho abhi bhi waise hi dialogue maar rahe ho
Sameer:- wo to main hun iske baad Shruti cake kaat kar Sameer ko khilaati hai
aur Sameer bhi ek tukra cake Shruti ko khilaata hai aur kuch der tak dono aise hi
baatein karte hai Shruti ke liye ye shaam bohat special ban gaya tha wo jo
chaahti thi wo ho gaya Rajesh ki gair maujoodgi me Sameer ke saath usne
acche se apna birthday celebrate kiya aise hi kuch der baat karne ke baad Shruti
kehti hai
Shruti:- Sameer abb tum jaa kar nahaa kar fresh ho jao raat ko 8 baje yaha niche
hall par party rakha hai maine
Sameer:- kis cheej ka party Sameer Shruti ka baat samajh gaya tha fir bhi Shruti
ko thoda pareshaan kar raha tha
Shruti:- aur kis cheej ka party mera birthday ka abb baat karna band karo aur jao
jaldi se nahaane maine teachers se permission le liya hai aur sabhi ko invite kiya
hai abb jao aur party me milte hai 8 baje niche hall me abb Sameer bhi chala
jaata hai fresh hone vaarish me bhingne ke baad wo bohat uncomfortable
mehsoos kar raha tha par wo iss baat se Shruti ke birthday par asar larne nahi
dena chaahta tha abb wo bhi bina koi baat kiye chala jaata hai apne room me
fresh hone Sameer ke jaane ke baad hi Shruti ke chehre par ek kutil muskaan
aata hai birthday to celebrate kar liya abb intejaar tha to party ka ye party usne
birthday celebrate karne se jyaada Priya aur uski doston ka beizzati karne ke liye
rakha tha jo abb kuch der me suru hone waala tha iss baat se Shruti bhi puri
tarah anjaan thi ki iss birthday party sabhi ki life ko buri tarah se praabhawit
karne waala hai
At night on 8:00 pm jaisa ki decide kiya tha party raat 8:00 pm me start hua
Sameer ne sabhi students aur teachers ko inform kar diya Shruti ke birthday ke
baare me Priya aur uske dosto ko chhod kar kul milakar 3 teachers aur 30
students the ek chhota sa party rakha gaya tha sabhi students niche hall me
maujood the Priya,Karan aur Divya ko chhod kar sabhi log thoda excited the abb
kisi ka birthday party tha to excitement to hona hi tha sabhi log khush najar aa
rahe the Rajesh ko chhod kar Rajesh na chaahte hue bhi Sameer ke lehne par
Shruti ke birthday attend kar raha tha wo dheemi aawaj me baj raha gaana se
bhi chidh raha tha students ki aapasi baat bhi usko bardaasht nahi ho raha tha
usse usko ghutan mehsoos ho raha tha wo bas yahi chaahta tha ki jald se jald ye
party khatam ho jaaye aur usko thoda chain mile sabhi students aise hi gaane
me thoda dance aur masti kar rahe the ki tabhi Shruti apne birthday dress me
waha par aa gayi acche se makeup bhi kiya tha wo bohat khubsurat lag rahi thi
bohat si students ki najar Shruti par tika hua tha lekin Shruti ka najar sirf Sameer
par Sameer bhi kuch samajh nahi paa raha tha Shruti ki iss najar ka matlab kya
hai wo to bas Shruti ki birthday aur uski chehre ka khusi dekh khush tha thoda sa
halla aur gaane ki aawaj se Priya aur Divya apne room me baithe disturb ho
gaye the unhe samajh me nahi aa raha tha ki kya wajah hai wo dono teachers
aur managers se complain karne baahar nikale baahar nikal kar sabhi niche hall
me pahunche niche pahunchte hi aaspaas ka najara aur Shruti ko dekh unhe
samajhne me der nahi laga ki aaj Shruti ka birthday hai lekin unhe kya matlab
Shruti ke birthday se chali gayi teachers se complain karne teachers ne bhi bas
kuch der ki baat hai meh kar taal diya abb wo dono bhi kuch nahi kehti hai aur
bas jaldi se iss party ka khatam hone ka intejaar karti hai kuch hi der me cake
kaatne ka wakt bhi aa gaya cake bada tha aur sabhi students kuch pieces khaa
sakte the cake katne ke baad Shruti ne sabse pehla tukda Sameer ko khilaaya
aur aise ho dhire dhire sabhi ne cake khaa liye Rajesh ne na chaahte hue bhi
cake khaaya sabhi ko cake mila Priya Divya aur Karan ko chhod kar Priya ko to
iss baat se koi fark nahi pada wo to pehle se hi jaanti thi ki aisa hi hone waala hai
Priya ko bhi cake khaane me koi interest nahi tha lekin Divya ko ye sab apna
beizzati lag raha tha wo bas gusse ka ghunt pikar reh gayi cake kaat te wakt
sabhi ne Shruti ko wish kiya tha lekin Priya aur uski dosto ne nahi yahi se pata
chal raha tha ki inn sabki dushmani kitna badh gaya tha jo shaayad hi kabhi
sudhar jaaye Shruti to andar se bohat khush thi Priya aur uski dosto ko beizzat
karke wo to abhi aur bhi bohat kuch karne waali thi Rajesh ko Shruti ki iss harkat
par bohat gussa aa raha tha lekin kuch bol nahi raha tha Sameer shaant tha aur
usse iss maamle se koi asar nahi par raha tha abb cake kaatne ke baad wakt
aaya gifts dene ka yahi wo mauka tha jo Shruti itne dino se intejaar kar rahi thi
Shruti ne pehle se hi sabhi ke loye kuch na kuch gift ke liye kharid rakha tha
sabhi ke liye alag alag gifts liya tha usne sabhi gifts mehenga lag raha tha baap
ke paisa kis din kaam aayega paise ki koi chinta tha nahi to sabhi ki najar me
apba impression badhaane me liye aur Priya ko beizzat karne ke liye ye kadam
jaanbujh kar Shruti ne uthaaya tha sabhi ko gifts dene ke baad Shruti apne
chehre par kutil muskaan liye Priya aur Divya ki taraf badhi aur unke paas
pahunchte hi
Shruti:- Priya ye lo 5 rs aur Divya tum bhi lo 5rs ye tumhaara gift abb kya karu
khaali haath to bhej nahi sakti to socha tumhe bhi gift de du jo tum dono ka
aukaat se ekdam match kare Shruti ne Priya aur Divya ka majaak udaate hue
kaha sabhi shocked ho gaye Shruti ki baat sunkar kisi ko uska ye baat pasand
nahi aaya lekin koi kuch nahi bola Sameer bhi shocked tha Shruti ki iss behavior
se Priya aur Divya bohat gussa ho gayi Shruti ki iss baat par Divya jo pehle se hi
gussa thi wo kuch bolne hi waali thi ki Priya ne uska haath pakad kar chup rehne
ka ishaara kiya aur khud kehne lagi
Priya:- sorry Shruti main gift lene se kabhi mana nahi karti lekin jab gift dene
waala tum jaisi giri hui ho usse to main kabhi nahi leti Priya ne bhi palatwaar kiya
firse sab shocked ho gaye sabhi ko pata tha ki Shruti aur Priya ke bich banti nahi
hai lekin kisi ne socha nahi tha ki baat inta badh jaayega Shruti ne jaise hi ye
suna uska gussa saatwe aasman par pahunch gaya usne socha tha ki Priya ko
aise gift dene se uska bohat beizzati hoga aas paas ke log hasenge Priya par
aur uska badla pura ho jaayega lekin usne soch nahi tha ki Priya hi uska beizzati
sabke saamne iss tarah se kar degi
Shruti:- tu mujhe giri hui bolti hai teri awkaat hi kya hai mere ghar me naukrani
banne ke laayak bhi nahi hai aur mujhse jubaan lada rahi hai aur sabke saamne
mujhse badtameezi kar rahi hai itna keh kar Shruti ne Priya ko ek thapaad
maarne hi waali thi ki Priya uska haath bich me pakad kar ulta thappad Shruti ko
maar deti hai aur kehti hai
Priya:- kya socha tha tune tu aise hi aakar hame beizzat kar degi aur ham chup
ho kar sun lenge tujhe pehle hi kaha tha hamse dur raha kar lekin tujhe bohat
shaukh hai ladne ka agar fir se aayi na to dekh le na main kya karti hun tera abb
bhaag yaha se pal bhar me maahaul bdal gaya tha aur itna badal gaya tha ki
Priya ne Shruti ko sabke saamne thappad maar diya wo bhi uske hi birthday par
sab shocked ho kar tamasha dekh rahe the kisi ko samajh me nahi aa raha tha ki
ye kya ho raha hai aur kya kare Shruti ko abb bohat hi beizzati mehsoos ho raha
tha wo bas apna mouh jhukaaye khadi thi
Sameer:- Priya Sameer Priya ko samjhaane ke liye aage badha tha taaki
maamla aur na bigde lekin Priya ne uski baat ko bich me hi kaat kar kaha
Priya:- chup apni jubaan se mera naam mat lena aur mujhse baat bhi nahi karna
Priya ek dam se aakramak hokar boli Sameer bhi abb kuch nahi bol paaya bas
Priya ko dekh raha tha achanak chehre par gusse ki bhaaw aane lage Sameer
se koi choti si baat par badtameezi kare wo Sameer ko bilkul bhi pasand nahi tha
lekin yaha to Priya ne sabhi ke saamne chup kara diya jis ladki se wo itna nafrat
karta tha aaj ussi ladki ne sabke saamne usse jaleel kiya tha iss baat ne Sameer
ke ego ko hurt kiya tha apna ego hurt hone se aur Shruti ka beizzati se Sameer
bhi gusse me laal ho gaya abb Sameer aur Priya ke bich ek beintehaa nafrat
paidaa ho gaya tha aur iske upar Shruti ki saazishein yahi se suru hua nafrat ka
khel aur Sameer ka bhool Sameer kuch bolne hi waala tha ki Priya bhi apna
daba hua gussa ko nikaalte hue bolne lagi aaj Sameer se bohat kuch kehna
chaahti thi Priya saara hisaab barabar karba tha Priya ko bhi aur aaj usse ye
mauka bhi mil gaya wo bhi Sameer se utna hi nafrat karne lagi thi jitna ki Sameer
chehra aur jubaan par gussa laakar wo kehti hai
Priya:- bohat hua Sameer bohat bol liya tumne aur bohat sunn liya humne aaj tak
tum samajhte kya ho apne aap ko tumhe lagta hai ki tum hi acche ho aur baaki
ke sab bure aur attitude to aise dikhaate ho ki jaise tum koi celebrity ho tumhe
kya laga hum kuch nahi bolte to ham gunge hai ya darpok hai pehle hamaari galti
thi ye baat ka hame ehsaas tha iss liye kuch nahi kehte the abb apni galti maane
hame aata hai aur sudhaarna bhi aata hai tum hi kehte the na ki ham tumhaare
raashte me na aaye bohat pehle hatt gaye the tumhaare raaste se aur apni hi
duniya me vyast the (Shruti ki taraf dekh kar) lekin ye baat iss chudail ko manjur
nahi tha pucch lo isse kyu hame aakar pareshaan karti thi har baar warning deti
thi isse lag raha tha ki ham isse dar jaayenge lekin chudail ko ye pata nahi tha ki
iske bhaunkne se hame koi asar nahi parne waala (Shruti se) kyu chudail abb to
tujhe samajh me aa gaya hai na hamse dur rehne me hi teri bhalayi hai Shruti ke
aise baar baar chudail bolne se Sameer ka gussa aur badh raha tha to koi
students ko hassi aa raha tha jo Sameer ke gusse ko aur bhadka raha tha jab
Sameer ko bardaasht nahi hua tab daant chabhaate hue usne kaha
Sameer:- Shruti ko baar baar chudail kehna band karo please kya ye maamla
ham akele me suljhaa sakte hai aise sabke saamne tamaasha banaane se
tumhe kya milega aapas me baat karke saari problems khatam karte hai Sameer
ne to Priya ko samjhaate hue kaha lekin uska aawaj se pata chal raha tha ki wo
kitne gusse me hai bas kisi tarah apne gussa par kaabu kiya tha
Priya:- kya baat hai Mr Sameer Sharma jab baat khud ki izzat par aaya to aise
mouh chippa kar bhaag rahe hai hamaare baare me to kabhi nahi socha sabke
saamne jab hamaara majaak udaate the ya hamaari galti ko sabke saamne
dikhaate the tab to bohat maja aata tha aapko lekin aaj kya hua aur rahi baat iss
chudail ko chudail na kehne ki to ye possible nahi hai Mr mere paas abhi time
nahi hai ki Shruti ke kartut ke baare me kuch kahu tumhaari hi dost hai aaram se
pucch lena bas itna kahunga ki tum aur tumhaari iss chudail dost hamaare raaste
me kabhi nahi aana main ek baat keh deti hun ki aaj se mujhe tumse koi lena
dena nahi hai aur tumhe bhi hamse kuch lena dena nahi hona chahiye tum apni
raaste aur ham apne raaste abhi to iss chudail ka gaal laal kiya hai agar agli baar
fir se dimaag kharab karegi to kuch keh nahi sakta aur tab aakar ye mat pucchna
ki maine aisa kyu kiya Priya aaj itne dino ki nafrat aur gussa nikaal rahi thi uski
har lafz uska Sameer se beinteha nafrat ka gawahi de raha tha Sameer bhi sab
kuch gusse ki ghunt pee kar sun raha tha sabhi ke saamne aise majaak ban
jaane se wo bohat hi uncomfortable feel kar raha tha gussa to bohat aa raha tha
lekin kuch bol nahi paa raha tha bolta bhi kya jab galti Shruti ka hi tha usse ye to
pata nahi tha ki Shruti ka galti kya hai lekin Shruti ka jhuka hua chehra dekh itna
to samajh gaya ki Shruti ne jarur kuch kiya hai aur issi wajah se Priya itna ucchal
rahi hai wo abb bas itna chaahta tha ki jaldi se ye tamasha khatam ho jaaye
Priya:- Sameer jaante ho main sochti thi ki tumse nafrat karke maine koi galti to
nahi kiya lagta tha ki tum jaise bhi ho utna bure nahi ho aur hamaari ye nafrat
misunderstanding se suru hua lekin main galat nahi thi accha kiya jo main tumse
nafrat karti hun tum to dosti me itna andhe ho gaye ho ki tumhe sahi aur galat ka
andaaza hi nahi hai aur to aur apne dost ki galti chupaane ke liye mujhse hi
bahas kar rahe ho tum se ek din parking me bhi baat karna chaaha tha iss
chudail ke baare me lekin tumne mana kar diya aur iske hi tarafdaari karke
mujhe bhej diya ussi baat se iss chudail ka itna himmat badh gaya aur aaj iski
abhi jo haalat hai iski wajah ye khud hai ek salah deti hun ki dosti karna hai to
kisi aur se karna iss chiludail se nahi kabhi ye tumhaara saath nahi dene waali
itna to jaroor keh sakti hun ki pith piche chura bhaunkne se nahi chukti hai ye
chudail pata nahi kis cheej ka ghamand hai isse aur kya saabit karne aayi thi he
mere paas mujhe mera aukaat samjhaa rahi thi maanti hun tum logo jitna rich
family se belong nahi karti gaaw me ek middle class family me pali badi hun sab
kuch thik thaak hai aur ham apne life se satisfied hai paiso se kuch nahi hota
khusi to santust rehne se milti hai mere sapne tum jaise laalchi log jitna bada
nahi hai lekin main apni life me khush hun aur ye chudail apne aap ko samajhti
kya hai bhikhaari jaise bartaaw kar rahi thi mere saath pata nahi kyu mere picche
padi hai kabhi chhain nahi milta isse bas dusre ke picche pade raho aur jeena
mushkil kar do iske alawa isse aata hi aur kya hai tum logo se aur baat karke
main apna mood aur kharab karna nahi chaahti pata nahi meri baat tum logo ki
samajh me aaya bhi ya nahi lekin main itna keh deti hun ki aaj se hamaara
raasta alag aur mujhe tum aur iss chudail ki dakhal andaazi nahi chaahiye ham
log shaanti se jeena chaahte hai live and let others live happily itna keh kar Priya
Divya ka haath pakad kar waapas apne room me le jaati hai usne apna kaam kar
diya tha aur aaj wo andar se bohat halka mehsoos kar rahi thi bohat din se
Sameer se sidhe baat karne ka jo bojh tha wo aaj khatam ho gaya Sameer ko
aaj usne chup kara diya tha aur saath hi uska attitude ko abb hall me sirf
teachers students Sameer Rajesh aur Shruti hi bache the sabhi students ko ek
mudda mil gaya tha jis par discuss karke wo sab apna time paas kare kisi ke liye
ye show shocking tha to kisi ke liye free ka comedy koi iss maamle par baat
karke hass rahe the to koi apne apne room me jaane lage teachers ko bhi
samajh me nahi aa raha tha ki kaise react kare itna to unhe bhi pata chal gaya
tha ki galti Shruti ka hai baat bahas se jyaada nahi badha to unhone bhi koi
dakhal nahi diya unhe hi apne pareshaani suljhaane diya dhire dhire sabhi chale
gaya apne room me aur baaki reh gaye Sameer Rajesh aur Shruti Rajesh ne bhi
iss wakt kuch na bolna hi thik samjha aur wo bhi apne room me chala gaya
Shruti apne sar jhukaaye aaj ka saara ghatna ke baare me soch rahi thi kya
socha tha usne aur kya ho gaya kaha wo apne birthday ka wait kar rahi thi Priya
ko beizzat karne ka lekin ulta Priya ne hi usko sabke saamne beizzat kar diya aur
Sameer ko bhi bohat kuch keh diya abhi to wo soch rahi thi ki Sameer ko kya
jawaab de sab kuch usne Sameer se chuppa ke kiya tha lekin iss bich usse Priya
par bohat gussa aa raha tha abb usne thaan liya ki ek din acche se wo Priya se
badla legi aur aaj hui ghatna ko kabhi nahi bhulegi jab tak wo apna badla pura na
kar le uske paas me hi khada Sameer ka bhi waisa hi haal tha nafrat aur khud ka
beizzati se uski aankhe gusse se laal ho gaya tha sabhi ke saamne apna aur
Shruti ka beizzati ko wo seh nahi paa raha tha aaj jo bhi hua uss ghatna ne
Sameer me dil me Priya ke liye jo nafrat tha usse aur badha diya kuch der gusse
se jameen me dekhne ke baad Sameer ne apna chehra upar uthaaya aur gusse
se Shruti ki taraf dekh kar kaha
Sameer:- kya jarurat tha ye sab karne ki Sameer ne apna gussa ko dabana
chaaha lekin daba nahi paaya Sameer ka gussa Shruti ke liye koi shock se kam
nahi tha pehli baar Sameer Shruti par gussa hua tha Shruti kuch bol nahi paayi
bas apni najar niche jhuka kar hi khadi rahi
Sameer:- kyu kiya tumne Shruti ye sab aur ye sab karne ki jarurat bhi kya tha?
aaj galti hamaara tha aur mujhe bhi chup rehna pada aaj pehpi baar koi mujhe
aisa beizzat karta raha aur main chaah kar bhi kuch nahi kar paaya kya jarurat
tha Shruti tumhe bekaar me unn logo ki maamle me dakhal dene ki kaash tumne
ye sab nahu kiya hota aur naahi unn logo ki himmat itna badhta iss baar Sameer
ki aawaj me gussa ke saath ek dard bhi tha pehli baar usne beizzati mehsoos
kiya tha aur wo bhi sabhi ke saamne Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Shruti se
bhi abb raha nahi gaya usne apna sar uthaa kar Sameer ke niraash chehre ko
dekha Shruti ke aankho me aansu ki jagah gussa tha lekin Sameer ki haalat
dekh jaldi se usne apne chehre ke bhaaw badal kar dukhi hone ka naatak karte
hue kaha
Shruti:- sorry Sameer isse jyaada Shruti ko samajh me nahi aa raha tha ki kya
bole Sameer bhi gusse me sar ghuma leta hai wo to Shruti par bhi gussa tha
lekin Shruti ko kuch keh nahi paa raha tha
Shruti:- please Sameer aise naaraj mat hoo sorry main apni galti ke liye maafi
maangti hun
Sameer:- abb sorry se kya faidaa unn logo ne apna kaam kar diya hame sab ki
najar me giraa diya mujhe to samajh me nahi aa raha ki maine aisa kya kar diya
jo usne mujhe itna sab kuch suna diya abb sorry bolne se bita hua wakt waapas
to nahi aayega aaj main unse haar gaya jinse main kabhi haarna nahi chaahta
tha aaj un logo ne hi mujhe sabke saamne isse aage Sameer nahi bol paaya
apni beizzati par wo aur bol nahi paaya Shruti ko bhi abb pata chala ki same'er
kitna jyaada naaraj hai
Shruti:- mujhe nahi pata tha ki baat itna bigaad sakta hai agar mujhe pata hota ki
ye sab hota to main kabhi aisa nahi karti maine to socha ki ye bohat accha
mauka hai unhe aur beizzat karne ka lekin
Sameer:- main iss baare me kuch baat nahi karna chaahta mera mood abhi
bohat kharaab hai aur aise me mera saara gussa tumpar nikal sakta hai main
abhi jaa raha hun apne room me lekin jaane se pehle itna jarur kahungi ki aage
se unki maamle me kabhi dakhal mat dena main abb unki galti ka intejaar kar
raha hun ek baar galti kar de Priya tab usko jindagi bhar ka gum dunga bas ek
mauka mil jaaye nahi chhodunga usse aur apna badla lekar hi rahunga main
tumse ye to nahi pucchumga ki tumne kya kiya tha unke saath jis wajah se wo
sab itna kuch bol rahi thi lekin ye jarur kahunga ki aage se aisa kuch mat karna
please gusse me ye sab kehne ke baad Sameer ek pal waha nahi ruka aur sidhe
apne room me chala gaya aaj jo bhi hua usse Priya ke liye Sameer ka nafrat aur
badh gaya tha kuch din pehle jo gussa shaant tha aaj wo fir se bhadak gaya tha
Shruti ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya kare usko apni galti ka ehsaas
bilkul bhi nahi tha usse bas Priya par gussa aa raha tha aur badla lene ki
chaahat bhi aaj ki baat se Shruti ko itna to jarur pata chal gaya ki Sameer ke
saamne kuch nahi karna hai jo bhi karna hai Sameer ke peeth picche usne aaj
Sameer ki najaro me Priya ke liye jo nafrat tha usse mehsoos kar liya tha abb
usko Sameer ko bina bataaye Sameer ki nafrat ka istemaal karna tha aur ek plan
banana tha jisse saanp bhi mar jaaye aur laathi bhi na tute in roof chath par Priya
akeli baithi thi aur raat ke maahaul me majaa le rahi thi bohat dino ke baad ek
chhain mila tha usse aaj se pehle aur Sameer se milne ke baad har ek pal ko
ghut kar jeeya tha usne Sameer ka aise sabke saamne beizzat kar dene se
bohat pareshaan ho gayi thi aaj mauka milaa usse aur usne apna saara hisaab
barabar kar liya wo chhath ke ek kone me baith kar khusi ke saath niche ki taraf
dekh rahi thi ki picche se usko kisi ke aane ki aahat hua picche jo bhi aa raha tha
wo aaj har haal me apne kaam ko anjaam dene waala tha yahi sahi mauka tha
uske liye bohat kar liya tha intejaar aur aaj mila wo mauka usko jaise hi Priya ko
kisi ki aahat mehsoos hhua wo turant picche mud gayi andhera me wo pehchaan
nahi paa rahi thi ki picche waala shaks kaun hai aur kyu aaya hai bas andhera
me wo itna hi dekh paayi ki wo shakhs ladka hai Priya ke chehre par dar aur
hairaani ke mile jule bhaaw tha wo soch rahi thi ki itni raat ko chhat par kaun
aaya hai aur kis liye usne himmat karke puccha
Priya:- kaun ho tum? ghabraahat me Priya ke mouh se bas itna hi nikla isse aage
kya bole Priya ko kuch samajh me nahi aa raha tha Priya ke bolne ke kuch der
baad hi wo ladka bola
Ladka:- main hun Karan
Karan ne jab ye bataya tab Priya ne raahat ke saans liya Priya bas Karan ko
dekh rahi thi wo kuch nahi bol rahi thi Priya ko khaamosh dekh Karan ne kaha
Karan:- tum itna ghabraayi hui kyu ho sab kuch thik hai na?
Priya:- han Priya ne bas itna hi reply diya
Karan:- to fir itna dari hui kyu ho
Priya:- ghabra gayi thi tumhe dekh kar Priya ne ek lambi saans le kar kaha Karan
Priya ki baat par hairaan ho gaya
Karan:- mujhe dekh kar ghabra gayi lekin kyu? Karan ne ye kehne ke baad
sawaaliya najro se Priya ko dekha
Priya:- andhera me acche se nahi dikh raha tha ki kaun hai achanak se saamne
aane par tumko pehchaan nahi paayi iss liye kisi aur ko samajh kar ghabra gayi
thi
Karan:- lekin ghabraane ki jarurat kya hai agar meri jagah koi aur hota to
Priya:- itni raat ko koi achanak se mere picche koi ladka aye to ghabraahat to
hogi hi pata nahi kis intention se aaya ho mujhe laga kahi Sameer to nahi hai jo
mujhe nukshaan pahuchaane aaya ho apna beizzari bardaast nahi kar paane ki
wajah se
Karan:- majaa aa gaya aaj to bohat acche se Sameer ki band baja diya tumne
bohat time se wait kar raha tha iss pal ke liye jo main nahi kar paaya wo tumne
karke dikhaaya I am so happy today abb dekhna wo hame apna mouh bhi nahi
dikhaayega panga lena to dur ki baat hai Sameer ki aawaj se hi pata chal raha
tha ki wo kitna khush hai bohat dino ke baad itna khush ho raha tha warna
Sameer ne to jeena mushkil kar diya tha
Priya:- please yaar aaj to uski baat karke mood kharaab mat karo bohat dino ke
baad khush hun main aur uske baare me baat karna nahi chaahti lets live this
moment iske baad Priya aur Karan ke bich ek khaamoshi chaa jaati hai bich bich
me dono ek dusre ki taraf dekh lete the aur mushkura dete the Karan ki najar me
to ek confusion tha usse samajh me nahi aa raha tha ki kya kare lekin Priya ki
najar me Karan ke liye pyaar
Priya:- tum yaha kyu aaye ho iss wakt? khaamoshi ko chirte hue Priya ne Karan
se pucha
Karan:- mmain to aise hi ayaa ttha Karan ne haklaate hue kaha usse umeed nahi
tha ki achanak se Priya ye sawaal pucch dega
Priya:- sach keh rahe ho? Priya ne muskuraate hue Karan ki aankh me aankh
daalkar puccha usse pata tha ki Karan jhuth bol raha hai aur wo acche se jaanti
thi ki Karan kyu aaya hai Karan ne han me sar hilaa diya
Priya:- tumhe kya lagta hai tum itni aasani se mujh se jhuth bol doge aur mujhe
pata bhi nahi chalega sach sach kaho aur abb koi jhuth mat bolna Priya ne
muskuraate hue warning diya Karan ko samajh me nahi aa raha tha ki kya sach
me usko sach bolna chaahiye agar usne sach bol diya aur Priya naraaj ho gayi to
Karan:- wo main wo main isse aage Karan kuch bol nahi paa raha tha aaj Priya
ko propose karne me usko dar lag raha tha bhale hi usne ek chaal chala tha
Sameer ke ghadi churaa kar lekin usse ye pata nahi chala tha ki Priya uske
baare me kya sochti hai kahi mana na kar de iss dar se Karan kuch bol nahi paa
raha tha
Priya:- kya wo main wo main kar rahe ho jo bhi kehna hai khul kar kaho iss baar
Priya ne serious hone ka acting kiya isse Karan aur dar gaya ek najar Priya ki
aankho me dekha Karan ne lekin agle pal hi najar hata liya dar me kaaran
Karan:- kkuch nnahi Priya ko abb apne hi harkat par gussa aa raha tha accha
khaasa Karan usse propose karne jaa raha tha lekin uski acting se Karan dar
gaya aur himmat nahi kar paaya
Priya:- arre bataao na yaar kya mehna chaahte ho aur aise dare hue kyu lag
rahe ho iss baar Priya ne thoda dheemi aawaj me kaha Karan ne iss baar
himmat karke bol hi diya
Karan:- actually Priya I llove yyouu Karan ne bol to diya lekin uska dar abhi bhi
waisa hi tha Priya kya jawaab degi ye soch kar wo aur ghabra raha tha life me
first time wo itna ghabra raha tha Priya ko aise khaamosh dekh bohat himmat
karke Karan ne apna sar uthaaya aur Priya ke chehre ke bhaaw padhne laga
Priya ki chehre ka gussa dekh wo bohat dar gaya aur usse samajh me aa gaya ki
Priya usse pyaar nahi karti
Priya:- himmat kaise hui tumhaari mujhe propose karne ki Priya ma bas itna hi
kehna tha ki Karan ka chehra ekdam se latak gaya aur wo niraash hokar picche
mood kar waapas jaane laga Karan waapas niche jaane hi waala tha ki Priya
daud kar aage badhi aur Karan ke kandhe ko pakad kar waapas apne taraf
pakad kar ghuma diya aur Karan ko ghurne lagi Karan bhi kuch pal khaamosh
raha kuch der baad himmat karke usne Priya ke chehre ko dekha aur kaha
Karan:- sorry agar tumhe buraa laga ho to Karan ki aawaj se pata chal raha tha
ki wo kitna hope less ho gaya hai Karan ki ye baat Priya ko accha nahi laga abb
usse mehsoos hua ki Karan ko aur tadpaana thik nahi hoga usne abb aur der
nahi kiya jaldi se Karan ko gale laga liya aur kaha
Priya:- I love you too Karan Priya ne thoda khushi aur thoda Sharmaate hue
kaha uski aawaj se lag raha tha ki aaj maano usse duniya bhar ki khushi mil
gaya hai Priya bas Karan ke gale se lipti hi rahi Karan ko ek pal ke liye to kuch
samajh me nahi aaya lekin jab dusre pal usse samajh me aaya to uska niraash
chehra par fir se muskaan laut aaya ek pal me wo bhi bohat khush ho gaya aur
khushi ke maare usne bhi Priya ko apne baaho me bhar liya dono aaj bohat
khush the kuch dino se ye dono bas issi pal ka intejaar kar rahe the pahla pyaar
me proposal accept hone ka majaa hi kuch aur hai kuch pal dono yunhi ek dusre
ke gale me lipte rahe aur iss pal ko jeete rahe dono bas ek dusre ka saath
mehsoos kar rahe the kareeb 15 minutes baad wo dono alag hue alag hone ke
baad Karan muskuraate hue Priya ke chehra dekhne laga jo sharm ke saath apni
najar Karan se chura rahi thi Karan ko Priya ka ye adaa bohat pasand aaya iss
khaamoshi ko chirte hue wo pyaar se bola
Karan:- kya baat hai kuch der pehle to aise ghur rahi thi jaise khaa jaogi lekin
abb abb to ek najar bhi nahi dekh rahi ho Karan ki baat par Priya ko kuch samajh
me nahi aa raha tha ki kya kahe wo Sharmaate hue bas najar churaa rahi thi
Karan:- please abb to kuch bolo kab se maraa jaa raha hun tumhaari pyaari
baatein sunne ke liye lekin tum to kuch bol hi nahi rahi ho lekin Priya fir kuch nahi
bolti
Karan:- lagta hai maun vrat rakh liya hai abb Karan ne dhire se badbadaate hue
kaha lekin Priya ne sunn liya abb Priya ne ek najar upar uthaa kar Karan ko
ghuraa aur agle hi pal muskuraate hue najar jhuka liya
Karan:- chhodo ye sab baatein ye bataao ki tum mujhse pyaar karti thi to siddhe
siddhe jawaab kyu nahi diya aise ghur rahi thi jaise khaa hi jaogi pata hai kitna
dar gaya tha main Karan ne shikaayat karte hue kaha Priya Karan ki iss baat par
thoda muskuraati hai aur kehti hai
Priya:- badla le rahi thi
Karan:- badla kaisa badla Karan ne hairaani ke saath puccha
Priya:- badla nahi leti to kya karti pata hai kitna tadpaaya hai tumne mujhe kabse
wait kar rahi thi tum mujhe propose karoge lekin tum to bohat darpok ho koi itna
late karta hai kya bas issi wajah se naraaj ho gayi thi aur socha tumhe tadpaane
ka Priya ne ulta Karan se shikaayat kiya Karan uski baat sunn muskuraate hue
bola
Karan:- pyaar ka maamla hai pagli jitna aasan sochte hai propose karna utna
aasan hota nahi kahi saamne waale ne proposal reject kar diya to kya hoga bas
ye dar sataata rehta hai pyaar me ek haa jindagi bhar ki khushiyan deta hai to ek
naa jindagi bhar ke gum
Priya:- tumhe to main bohat daring samajhti thi jab tumne mujhe khaayi me girne
se bachaaya lekin tum to darpok nikle Priya ne muskuraate hue kaha
Karan:- kisi bhi aadmi ke paas chaahe kitna bhi taakat aur himmat kyu na ho
pyaar ke maamle me wo bhigi billi ban jaata hai pyaar insaan ko kya nahi
karwaata pyaar paane ke chakkar me insaan khud ko puri tarah se badal deta
hai pyaar ke liye taakat aur dare kaam nahi aata bas dil aur character kaam aata
hai aur saamne waala aapke aur aapke character ke baare me kya sochta hai ye
jaruri hai aur main yahi nahi jaan paa raha tha ki tum mere baare me kya sochti
ho aur dar lag raha tha ki kahi tum mera proposal reject hi na kar do
Priya:- arre bas bas thoda sa majaak kya kar diya tum to ekdam se serious hokar
safaayo dene lage iske baad kuch pal ke liye fir se khaamoshi chaa jaata hai
dono ek dusre ki aankho me dekh ek dusre ke pyaar ko mehsoos kar rahe the
bohat sukoon mil raha tha dono ko shaayad jindagi ki sabse jyaada khushi ka
palo me se ek tha abhi ka wakt dono ke liye kuch der ki khaamoshi ko todte hue
Priya ne kaha
Priya:- Karan ek baat bataao
Karan:- puccho
Priya:- tum mujhse kab se pyaar karte ho
Karan:- jab se tumhe pehli baar dekha ek alag sa feeling mere dil me aaya jab
tumhe dekha tab shaayad love at first sight keh sakte hai uss time to mujhe ye
bas attraction hi laga lekin jab dhire dhire tumhaare saath wakt bitaane laga tab
jaakar ehsaas hua ki main tumse pyaar karne laga hun bas kehne ki himmat nahi
kar paa raha tha aaj jaise taise himmat karke bol diya aur tum mujhse kabse
pyaar karti ho? Karan ne jo mehsoos kiya tha qo keh diya lekin sach to ye tha ki
aaj bhi Priya ki taraf bas wo attracted hi hai
Priya:- agar sach kahu to mujhe tumse love at first sight nahi hua tha tumhe sirf
apna dost maanti thi lekin dhire dhire tumhaara saath accha lagne laga jab tum
Sameer aur Shruti ke saath ladkar mera saath dete the to mujhe bohat accha
lagta tha tab jaakar shaayad mujhe bhi tumse pyaar hone laga tha bas tum aur
Divya hi mere wo dost ho jinhone mujhe mushibat me saath diya tha jab tumne
uss din apna jaan me khel kar mujhe bachaaya to laga shaayad hi koi mujhe itna
saath dega jitna tum dete ho har pal mere khushi ke baare me sochte ho aur
mere liye kuch bhi karte ho tab jaakar mujhe bhi ehsaas hua ki main bhi tumse
pyaar karti hun mujhe kabhi kabhi lagta tha ki tum mujhse pyaar karte ho lekin
main sure nahi thi jab mujhe ehsaas hua ki main tumse pyaar karti hun tab sochti
thi ki kaash ye sach ho ki tum bhi mujhse pyaar karte ho aur aaj mera ye wish bhi
sach hua I love you Karan I love you so much itna keh kar Priya Karan ke gale
lag gayi issi tarah se dono luch der tak pyaar bhari baatein karte rahe aur jab raat
ke 2:00am baj gaye aur unhe neend laga tab dono niche chale gaye sone ke liye
issi tarah suruwaat hua Karan aur Priya ka pyaar ya fir Karan aur Priya ka
attraction ka aise hi dhire dhire wakt bitne laga inn baato ko beete 1 saal se
jyaada ho gaya Sameer Priya aur unki dost abhi just 4th semester me pahunche
the 3 rd semester ka result aana baaki tha st aur 2nd semester Sameer ne top
kiya tha Rajesh Divya aur Priya bhi acche students the aur unka result bhi bohat
accha aaya lekin toppers ki list me unka naam nahi tha Karan aur Shruti jaise
taise paas ho gaye padhne ki jagah dusro ke khilaaf saajish rachne lagenge to
yahi hoga na Sameer ko dekh kar koi keh nahi sakta tha ki ye top marega lekin
Rajesh ko chhod koi ye baat nahi jaanta tha ki Sameer jo kaam karta hai dil
lagaa kar karta hai pure dedication ke saath intelligent to wo pehle se hi tha aur
padhne me koi kanjoosi bhi nahi karta tha ek alag routine tha uske padhne ka
Sameer har ek chij ko time par karta tha aur apne routine ko hamesha follow
karta tha ye to hua inke studies ki baat abb inke aapas me relations ke baare me
bhi bata deta hun iss 1 saal me Priya aur Karan ka pyaar pehle se thoda aur
majboot ho gaya tha aur inke baare me college me sabhi ko pata chal gaya tha
lekin kisi ne jyaada interest nahi liya iss pyaar par Shruti ko chhod Priya aur
Divya ki dosti pehle jaisa hi tha aur Karan aur Divya ke bich dosti bhi bilkul waise
hi tha koi sudhaar nahi aaya bas kaam ke wakt hi baat karte the dusri taraf
Sameer aur Rajesh ka dosti pehle ki tarah hi accha tha lekin kabhi labhi Sameer
ko Rajesh ka Divya ke saath badhta kareebiyan fekh gussa aata tha lekin kuch
kehta nahi tha Sameer aur Shruti ki dosti pehle se bohat accha ho gaya tha
Sameer ke liye ye sirf dosti tha lekin Shruti ke liye pyaar wo Sameer ko apne dil
ki haal bataana to chaahti thi lekin abhi tak nahi bataaya Shruti ka Sameer chhod
kisi ke saath relation acxha nahi hua tha sabhi ko apna dushman maanti thi
Sameer aur Priya ki nafrat me bhi koi sudhaar nahi aaya tha bhale hi wo dono ek
dusre se baat karna band kar chuke the lekin ye nafrat abhi tak khatam nahi hua
tha Sameer Priya ki bas ek galti ka intejaar kar raha tha apna hisaab baraabar
karne ka jo shaayad Shruti ki meharbaani se bohat jaldi sambhav hone waala tha
aaj Sameer ka mood thoda off tha issliye wo canteen me nahi gaya Shruti aur
Rajesh ne bohat koshish kiya canteen tak le jaane ka lekin Sameer nahi maana
Sameer me jidd ke saamne Rajesh aur Shruti ko jhukna hi pada dono chale gaye
canteen me aur akele akele baith kar lunch karne lage Rajesh ne aaj kuch jaldi hi
apna lunch complete karke class me chala gaya Shruti kuch pareshaan najar aa
rahi thi chehra dekh aisa lag raha tha ki wo kuch soch rahi hai iss soch ke
chakkar me wo thik se khaa bhi nahi paa rahi thi tabhi uske paas Neha aakar
baith jaati hai
Neha:- kiski yaad sata rahi hai madam? Neha ki iss majaak se Shruti ka dhyan
tuta wo Neha ko bas ghurti rahi
Neha:- sorry madam aapko aapki aashiq ke baare me sochne aur dhyaan
hataane ke liye maafi chaahti hun par kya karu ye college hai madam yaha aap
aise react karengi to sabko pata chal jaayega ki aapko pyaar ho gaya hai please
apne feelings ko thoda control me rakhiye nahi to pura college ko aapke love
story ke baare me pata chal jaayega Neha ne muskuraate hue fir se kaha
Shruti:- ye kya bakwaas kar rahi hai tu mujhe kyu kisi se pyaar hoga aur kaun hai
mera aashiq Shruti ne dikhaana chaaha ki usko Neha ki baat se kitna gussa
aaya hai koi sun na le iss wajah se dhire aur gusse ke saath usne kaha
Neha:- calm down dear mere saamne tera ye naatak nahi chalega jitna bhi ye
jhutha gussa kyu na dikha de tu mujh par koi asar nahi padne waala waise bhi
sacchai chupaane se chhupta nahi dekha hai maine aajkal teri behavior ko teri
har harkat se pata chalta hai ki tu Sameer se pyaar karti hai bas acche se jata
nahi paati hai arre yaar pyaar karti hai to Sameer ko bhi iss baat ka ehsaas dilaa
ki tu usse pyaar karti hai kab tak aise hi chup baithegi Shruti Neha ki iss baat par
kuch nahi kehti hai wo fir se Neha ko ghurne lavti hai lekin iss baar naa to wo
gussa thi aur naahi khush bas Neha ko dekhe jaa rahi thi aur soch rahi thi ki kya
jawaab de Neha ke iss baat ko
Neha:- abb ye mat kehna ki main fir se jhuth bol rahi hun aur tujhe Sameer se
pyaar nahi hai iss baar Neha ne majaak nahi kiya
Shruti:- nahi sach keh rahi hai tu main Sameer se pyaar karti hun bohat pyaar
karti hun kitni baar ehsaas dilaaya maine Sameer ko pura paagal hai wo kabhi
samajhta hi nahi hai mujhe aur mere pyaar ko mere ishaare ko majaak me le leta
hai sidha propose nahi kar paa rahi hun main lekin usko bhi to samajhna
chaahiye na jab bhi pyaar ke baare me baat karti hun to pata nahi kyu topic hi
badal deta hai kabhi pyaar ko seriously leta hi nahi pata nahiai kya karu samajh
me nahi aata wo Rajesh bhi hamesha Sameer ki puch ki tarah peeche hi pada
rehta hai kabhi mauka mil nahi paata Sameer ko khul kar apni baat kehne ka jab
bhi mauka milta hai Sameer baat ko majaak bana kar taal deta hai sochti hun ki
wo bohat jald mera baat samajh jaayega aur mujhe bhi propose karega lekin 1
saal ho gaya naa hi wo mukhe samajh paaya aur naahi mere pyaar ko itna keh
kar Shruti chup ho gayi uski aawaj me ek bebasi tha bohat koshish kiya tha usne
Sameer ko apne pyaar ka ehsaas dilaane ko lekin abhi tak kaamyaab nahi ho
paayi thi aur kaamtaab ho paayegi iss baat par khud par vishwaas bhi nahi tha
kuch pal chup baith kar aur kuch sochne ke baad Neha ne thoda gambhir ho kar
kaha
Neha:- abb to ek hi raasta bacha hai
Shruti:- kaunsa raasta? Shruti ki aawaj me koi utshuktaa nahi tha usse pehle hi
pata tha ki Neha ki sabhi ideas bakwaas hota hai fir bhi usne socha ki ek baar
sunne me kya jaata hai
Neha:- siddha Sameer ko propose hi kar daal aaj aar ya paar kar de baat ko kab
tak aise hi ghut ti rahegi main jaanti hun Sameer ko bhi ehsaas hai tere pyaar ko
aur shaayad koi wajah hoga jis wajah se wo tujhe accept nahi kar paa raha hai
aaj baat karke jaan le kya baat hai agar usse sach me tujhse pyaar nahi hota to
kisi bahaane se tujhse alag ho gaya hota lekin usne aisa nahi kiya meri baat
maan aur sidha propose kar daal Sameer ko aage kya hoga usse baad me
dekhenge itna keh kar Neha chup ho gayi aur Shruti ki taraf dekhne lagi Shruti ko
bhi Neha ki baat thik laga kuch der sochne ke baad usne kaha
Shruti:- thik hai bohat jald propose kar dungi
Neha:- abb aur der mat kar aaj hi propose kar de warna aisa na ho ki koi aur hi
Sameer ko pataa le kahi main hi usse na pataa lu Neha ne aakhiri ki do line
hanste hue kaha abb wo maaaul ko fir se halka banana chaahti thi Shruti ko bhi
pata tha ki Neha majaak kar rahi hai
Shruti:- tu karegi Sameer ko propose hahaha bohat comedy karti hai yaar tu tere
pyaar ko accept karna to dur ki baat hai wo teri taraf dekhega bhi nahi hahaha
agar Sameer ne mujhe tere saath dekh liya to kahi wo mujhe hi na reject kar de
bohat manhoos hai tu mujhse dur hi raha kar agar kisi aur ne Sameer ko pataane
ki koshish kiya to uska main mouh noch lungi issi tarah majaak me lunch break
khatam ho jaata hai Shruti aur Neha apne apne class me jaati hai class ki taraf
jaate jaate Shruti ne tay kar liya ki aaj har haal me wo Sameer ko propose karegi
class me bhi Shruti ka dhyaan padhai me na hokar Sameer par hi rehta hai wo
aaj kaise Sameer ko propose karegi bas issi baare me soch rahi thi khair jald hi
ye wakt bhi aa gaya college khatam hone ke baad Sameer aur Rajesh parking se
apne ghar ki taraf jaane hi waale the ki picche se daud kar Shruti aati hai aur
chilla kar kehti hai
Shruti:- Sameer ruko mujhe tumse kuch baat karni hai Shruti ne itna jor se
chillaya tha ko Sameer ka na sunne ka sawaal hi nahi tha
Sameer:- han Shruti kaho kya baat hai
Shruti ke paas aane ke baad Sameer ne kaha
Shruti:- yaha nahi private baat hai aur bohat jaruri hai Shruti ki baat sunne ke
baad Sameer ne socha kia aakhir kya private baat ho sakta hai usko kuch kuch
andaaza to ho gaya tha lekin wo bas yahi dua kar raha tha ki jo wo soch raha hai
wo nahi ho wo Rajesh ko akele jaane ka keh deta hai aur Shruti ke picche picche
chala jaata hai Shruti Sameer koek akele jagah me le jaati hai aur bina dare bina
Sharmaaye himmat karke bol deti hai
Shruti:- Sameer I love you Sameer jo nahi chaahta tha aakhir wohi hua Shruti ki
baat sunne ke baad Sameer 2 saal picche hue ek ghatna ko yaad karne laga
Sameer uss ghatna ke baad pyaar se bhaagne ka bohat koshish kar raha
thaekin aaj Shruti ne fir se usse do raaho par laa khada kiya uss ghatna me jo
bhi hua tha uske baad Sameer ke paas pyaar karne ki taakat nahi tha pyaar se
vishwaas utth gaya tha uska uss ghatna ko yaad karte hue uski aankho se do
boond aansu apne aap gaalo par gir gaya aur himmat karke usne jawaab diya
Sameer:- no Shruti I dont love you and I cant love anyone Sameer ki aawaj me
ek dard tha jisse sunkar Shruti ke dil tut gaya kitna yakin ke saath usne Sameer
ko propose kiya tha ye soch kar ki Sameer uska pyaar accept kar hi lega lekin
Sameer ne uske dil ka tukda tukda kar diya bohat chot pahuncha Shruti ko kuch
pal yunhi wo chup rahi lekin wo abhi bhi haar maane waali nahi thi kuch pal ke
liye ek khaamoshi chaa gaya tha dono ko apna dard mehsoos ho raha tha koi
kuch bolne ke mood me nahi tha Shruti bas Sameer ko dekh rahi thi aur uske
chehra dekh aisa lag raha tha ki kabhi bhi wo roo sakti hai Sameer bhiniche dekh
kar fir se ateet ke baare me sochne laga Shruti Sameer ko kisi haal me khona
nahi chaahti thi pehle hi usko ek jhatka laga tha jab Sameer ne uske pyaar ke
prastaav ko inkaar kar diya tha Shruti ko Sameer ki aawaj se Sameer ki baatein
ek dam sach lag raha tha usse itna to pata chal gaya tha ki jo bhi karna hai abhi
karna hoga warna bohat der ho jaayegi iss khaamoshi ko todte hue usne
ladkhadaate jubaan se Sameer se puchha
Shruti:- kyu? kyu mujhse pyaar nahi karte ho aur pyaar se itna bhaagte ho?
Sameer:- hai ek wajah Sameer ne ek dard ke saath kaha
Shruti:- kahi tum kisi aur se pyaar to nahi karte? darte hur Shruti ne puccha ki
Sameer kahi han na keh de
Sameer:- nahi main kisi se pyaar nahi karta aur naahi kabhi karunga Sameer ki
har ek lafz se uska dard ka pata chal raha tha Sameer ne jab ye kaha tab Shruti
ki dard ki jagah gusse ne le liya pehli baar Sameer se gusse ke saath boli
Shruti:- tum itna insensitive kaise ho sakte ho Sameer tum insaan ho ya nahi
agar insaan ho to tumhaare paas dil kyu nahi hai kehte ho ki kisi se pyaar nahi
karte aur naa hi kabhi karoge kyu? kya kabhi tumhe mere pyaar ka ehsaas nahi
hua itne time se main tumhaare picche deewani ki tarah pyaar ka ehsaas dilaati
rahi tumhaare picche paagalo ki tarah ghumti rahi lekin tumne kabhi iss baat ka
parwaah nahi kiya kabhi mujhse pyaar kiya hi nahi aur naahi kabhi mujhe apne
pyaar ke kaabil socha aakhir kyu Sameer kyu tum mujhse pyaar nahi karte? kya
kami hai mujhme aud tum kyu pyaar se bhaagte ho? Shruti ki aawaj me gussa
aur dard dono tha usse Sameer ki inkaar ki wajah samajh me nahi aa raha tha
upar se Sameer ki chuppi usse aur tadpa raha tha lekin iss baar Sameer chup
nahi reh paaya Shruti ki iss tarah se baar baar pucchne se usne bhi abb sach
bataane ka faisla kar hi liya
Sameer:- sunna chaahti ho kyu main pyaar se dur bhaagta hun to suno main bhi
ek insaan hun main koi insensitive insaan nahi hun aur mere paasbhi dil hai lekin
darta hun iss dil se kahi dhokha na de de mujhe hi kahi kisi se pyaar na ho jaaye
ye umar hi kuch aisa hai ki har kisi ko pyaar ho hi jaata hai na chaahte hue bhi
opposite sex ki taraf attract ho hi jaate hai lekin abhi tak maine khud ko rok rakha
hai bas tumhi wo ladki ho jisse main apna dost maanta hua aur baat karta hun
tumhaare siwaa koi ladki mera dost bhi nahi hai aur naahi banana chaahta hun
dekha hai maine saccha pyaar karne waale ka kya haal hota hai jo galti unki hoti
nahi hai unhe wo sazaa bhi milta hai pyaar karna gunaah hai kya agar hai to
main ye gunaah nahi karna chaahta hun agar nahi hai to kyu mere dost Mahesh
ko bina koi galti ki saza mila usko wo saza mila jo saccha pyaar karne waalw ko
akshar milta hai saccha pyaar ki koi keemat nahi aaj ki jamaane me dekha tha
maine kitna tut kar usne ek ladki se pyaar kiya tha ekdam saccha aur niswaarth
pyaar wo uss ladki me liye kuch bhi karne se picche nahi hat ta tha apna pyaar
ke khushi hi uske liye sab kuch tha wo ladki bhi aisa behave karti thi jisse lagta
tha ki wo bhi Mahesh se pyaar karti hai lekin wo sirf apne faaida ke liye Mahesh
ka istemaal karti thi bewafa to wo thi hi lekin saatb me chaalbaaz aur makkar
ladki thi jab Mahesh ko pata chala ki wo ladki Mahesh se pyaar nahi karti hai to
kitna tut gaya tha wo pyaar insaan ko puri tarah se badal deta hai bigde hue
ladke ko sudhaar sakta hai to acche ladke ko paagal aur kamjor bana deta hai
andar se puri tarah se tod deta hai aisi haalat bana deta hai ki wo na khush
hokar bhi khush dikhne ka naatak karna padta hai ye sab maine Mahesh ke
saath hota dekha hai Rajesh aur maine jaise taise usko sambhaal liya uss din se
ek baat pata chal gaya ki aaj ke duniya me saccha pyaar shaayad hi kahi ho ye
hamaara career banaane ka time hai aur hame aise time ka istemaal bewafawo
ke liye waste nahi karna chaahiye ye pyaar aakhir hai kya kya ham iske bina jee
nahi sakte agar pyaar nahi hua to ham mar jaayenge kya kya ye rule hai ki
college me padhte wakt hame compulsory pyaar karna chaahiye saneer ne
gusse se Shruti se puccha Shruti Sameer ka achanak itna gussa dekh dar gayi
aur kuch bol nahi aayi bas sar ko naa me hilaa diya
Sameer:- to issi wajah se maine soch liya ki kabhi pyaar nahi karunga jo galti
Mahesh ne kiya hai sse main nahi dohraaunga maine Mahesh ki galti se sabak
liya aur khud ko pyaar karne se rok liya yaa ye keh lo ki mujhe pyaar par se
vishwaas utth gaya pyaar se jitna sukoon milta hai usse jyaad adard bewafayi
aur biccdan me milta hai pyaar ek meetha jehar hai jiska swaad acxha lagta hai
lekin pata nahi chalta kab ye hamaare hi jindagi ke liye haanikaarak ban jaaye
pyaar se jitna dur raho utna hi bhala hai Sameer ne apne dil ki bhadaas gusse
me nikaal fiya aur Shruti ko samjhaa diya ki kyu wo pyaar nahi karna chaahta aur
pyaar ke baare me wo kya sochta hai Shruti ko bhi pata chal gaya ki Sameer
pyaar se dur kyu bhaagta hai aur kyu wo Shruti ko accept nahi kar raha hai
Quote:
kahi na kahi Sameer ki baat aur soch bhi sahi tha Sameer ne jo mehsoos kiya
tha wo sab keh diya Sameer ne pyaar ke baare me itna hi jaana tha yaa yu keh
lijiye usne ek sikka ki bas ek hi side ko dekha tha dusre side ko nahi bas usse
pyaar ki negative points ka hi pata tha positives se wo abhi bhi anjaan tha aur
jaan bhi nahi paayega jab tak usse khud pyaar na ho jaaye Shruti ko abb samajh
me nahi aa raha tha ki Sameer ko kaise manaaye usko manana to abb aur
mushkil ho gaya tha Sameer to pyaar par vishwaas bhi nahi karna chaahta tha
Shruti:- trust me Sameer mujhe nahi pata uss ladki ne Mahesh ko kyu dhokha
diya lekin main tumhe kabhi dhokha nahi dungi main tumse bohat pyaar karti hun
aur mera pyaar saccha hai please mere pyaar ko mat thukraao jee nahi paaungi
tumhaare bina Shruti ne laghbhag gidgidaate hue kaha Sameer abb bohat
uncomfortable feel kar raha tha
Sameer:- maine kab kaha ki tum mujhe dhokha dogi leki Shruti please mera baat
bhi samajhne ki koshish karo main iss pyaar ke lafde me padna nahi chaahta
Sameer ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki kaise sbruti ko samjhaaye Sameer
aur Shruti ki bich ek baar firse khaamoshi chaa jaati hai aur dono bas ek dusre
ke bolne ka intejaar kar rahe the aur ye bhi chaah rahe the ki wo dono ek dusre
ki baat samajh jaaye kuch pal aise hi sochne ke baad Shruti ke dimaag me ek
idea aaya aur usne kaha
Shruti:- tum shaadi to karoge na?
Sameer:- han karunga lekin tum abb ye kya puch rahi ho?
Shruti:- love ya arranged marriage? abb Shruti ki har ek lafz ke saath confidence
badh raha tha ki wo Sameer ko apna bana kar hi rahegi
Sameer:- kisi se love nahi karunga to definitely arranged marriage Sameer ne bhi
confusion ke saath jawaab de diya wo ye soch kar confuse ho raha tha ki aakhir
Shruti ye sab kyu pucch rahi hai
Shruti:- to fir mujhse hi arrange marriage karlo Shruti ne ek muskaan aur chehre
me chamak ke saath ye baat kaha usse yakin tha ki abb Sameer bach nahi
paayega
Sameer:- what? ye kya keh rahi ho tum Sameer aage kuch bol paata uski baato
ko bich me kaat kar Shruti ne kaha
Shruti:- iska matlab main tumhe acchi nahi lagti aur mujhse piccha chhudana
chaahte ho
Sameer:- nahi aisi baat nahi hai
Shruti:- to kya baat hai tum kisi na kisi se shaadi to karoge hi to kya problem hai
tum mujhse shaadi kar loge to mera love bhi success ho jaayega aur tumhe koi
problem bhi nahi hoga tumhe pyaar me padne ki jaroori bhi nahi padegi main
tumse pyaar kar lungi sabkuch thik ho jaayega aur sab khush Shruti ne vijay
muskaan ke saath kaha Sameer abhi bhi confused tha
Sameer:- lekin tum meri dost ho to main kaise tumse shaadi Sameer ne bas itna
hi kaha tha ki Shruti ne uski baat ko bich me kaat kar gusse se kaha
Shruti:- love stories ki suruwaat dosti se hi hota hai aur ye pyaar baad me shaadi
me badal jaata hai abb chup abb kuch mat kehna tum final ho gaya ki tum
mujhse hi shaadi karoge tumhaare liye arranged aur mere liye love Shruti ne
apna faisla suna diya Sameer ko bhi pata chal gaya tha ki abb wo Shruti se jeet
nahi paayega ekdin usse shaadi to karna hi hai to Shruti se kyu nahi Shruti ki iss
chaturaai par wo muskuraaye bina reh nahi paaya Sameer ko muskurate dekh
Shruti ne Sameer ki taraf se haa samajh liya aur Sameer ko gale laga kar fir se
keh diya I love you lekin iss baar feeling ke saath issi tarah dhire dhire din bitne
laga college me Shruti Sameer ke saath aur Priya Karan ke saath time bitaane
lage Rajesh aur Divya bhi kabhi kabhi baat kar lete the Rajesh Divya ko lekar
confused tha ki uske dil me Divya ke liye kya feelings hai kya Divya uska sirf dost
hai yaa fir wo Divya se pyaar karne laga hai wo issi confusion me tha usse Divya
ke feelings ke baare me bhi pata nahi tha usne khud ko thoda time dene ka
socha ye jaane ke liye ki wo Divya ke baare me kya sochta hai aur Divya uske
baare me kya sochti hai lekin usse kya pata tha ki aane waale wakt me kuch aisa
hone waala hai usse sambhalna to dur ki baat hai samajh me hi nahi aayega
kaisi musibat hai ye college me to sabhi ko pata chal hi gaya tha Sameer aur
Shruti ke baare me aise hi ek din Shruti ki parents Sameer ke ghar aaye Shruti
aur Sameer ka rishta lekar Sameer ke parents ko bhi koi problem nahi tha ye
jaankar ki dono ek dusre se pyaar karte hai Sameer ne bhi kuch nahi kaha usne
socha ki gharwaale aur Shruti dono khush hai to usse bhi koi aitraaz nahi hona
chaahiye sabja khushi me hi uska khushi hai unn dono ki engagement aur shaadi
ki date unki studies ke baad me rakhne ka socha sabhi ne jo abb kuch hi months
baad hone waala tha Shruti ke liye ye sab koi vardaan se kam nahi tha usse har
khushi mil raha tha jo usne socha tha yaa kismat se maanga tha Shruti bhi ek
mauka nahi chhodti thi Sameer ke aur kareeb aane ki jaha bhi jaati library
canteen park ya class room Sameer ko apne paas hi le jaati thi Sameer ko ye
sab bilkul accha nahi lagta tha lekin fir bhi wo khaamosh hi rehta tha kuch nahi
bolta tha bas jo Shruti usse bolti thi wohi karta tha aur Shruti ka saath deta tha
Shruti Sameer ko apne pyaar ki ehsaas dilaane ki bohat koshish karti thi lekin
pata nahi kyu Sameer ko bilkul accha nahi lagta tha Shruti ke pyaar karne ka
tarika Sameer ko abb Shruti ka koi bhi harkat accha nahi lagta tha andar hi andar
wo Shruti aur uski behavior se chhidh raha tha wo Shruti se dur jaa bhi nahi
sakta tha jab bhi jaane ka sochta usse Shruti ka dosti aur uske saath bitaaye hue
dosti ke pal yaad aa jaata tha abb to waise bhi bohat der ho gaya tha inn dono ke
rishte jud jaane se abb Sameer bas khud me hi ghutne laga tha Shruti ne uski
azaadi bhi cheen liya tha har baar apna pyaar ka ehsaas dilaati thi jo Sameer ko
bilkul pasand nahi tha abb Sameer bas ek hi dua kar raha tha ki kisi din Shruti
badal jaaye aur apna pyaar chhod Sameer ke baare me bhi soche usse samjhe
Sameer ne Shruti ko samjhaane ki koshish bhi bohat kiya tha lekin Shruti baar
baar iss baat ko taal deti thi aur Sameer par apna hukum chala rahi thi Shruti ko
bhi Sameer ka dard aur ghutan nahi dikh raha tha wo to bas issi baat se khush
thi ki uska pyaar usse mil gaya hai aur abb intejaar tha to Sameer se return me
pyaar paane ka bas wo intejaar karti thi ki Sameer bhi usse pyaar kare Sameer
ko agar koi pyaar aur dosti me kisi ek cheej ko chunne ka kehta to Sameer jarur
dosti ko chunta lekin usse nahi pata tha ki dosti me bhi usse itna ghutna pad
sakta hai usne abb apni life ko kismat aur apno par chhod diya ek aasha ke
saath ki jald hi sab kuch thik ho jaayega issi tarah aur din bitne laga abb exams
aane me bas 1 months hi baaki tha Priya aur Karan apne life me khush the
Shruti bhi apni life me bohat khush thi lekin Sameer pehle se jyaada frustrated
rehne laga tha na kisi se koi bolta na kisi se apni feelings share karta Rajesh bhi
apni hi soch me vyast tha aur usne soch hi liya ki wo Divya se pyaar karta hai
abb wo Divya ki feelings jaana chaahta tha Rajesh ki isss tarah khud me hi busy
ho jaane se Sameer aur akela pad gaya abb wo bas apna study aur na chaahte
hue bhi Shruti ki bakbak me time spend karta tha bas abhi ke liye ek study hi tha
jo uska saccha dost tha raat me wo tension se dur hone ke liye padhaayi par
dhyaan deta jisse usko thoda bohat sukoon mil jaata tha
A day in College
aaj bhi Shruti akele canteen me baith kar lunch kar rahi thi saath hi apne shaadi
ke sapna dekh muskuraa rahi thi wo khud ke khayaloon me itna khoyi thi ki usse
pata hi nahi chala ki aas paas kya ho raha hai tabhi uske paas aakar Neha baith
gayi aur boli
Neha:- abhi se shaadi ki sapne dekh rahi hai Neha ne muskuraate hue kaha aur
Shruti bhi hosh me aa gayi
Shruti:- please tu jaa abhi yaha se abhi kuch der ke liye disturb mat kar aise
achanak Neha ka disturb Shruti ko accha nahi laga aur usne chhidhte hue Neha
se kaha
Neha:- itna naatak kyu kar rahi hai sidha bol na Neha tu chali jaa aur mujhe
Sameer ki khayalon me khone de disturb mat kar Neha ne fir se muskuraa kar
kaha iss baar Shruti Neha ko bas gusse se ghurti rahi aur kuch nahi boli
Neha:- waise bhi main tujhe disturb karne nahi aayi hun tere hi kaam ke liye aayi
hun aur iss me tera hi faaida hai Neha ne iss baar apne chehre ke bhaaw ko
badal diya aur issi se pata chal raha tha ki wo kuch serious baat karne waali hai
abb Shruti usko gusse ki jagah chaunk kar dekhne lagi lekin boli kuch nahi bas
aankho se ishaare me puccha ki kya baat hai?
Neha:- tujhe Sameer ma milne se itna khushi hai ki tu ye bhi bhul gayi ki tera koi
dushman bhi hai jisse tujhe badla lena hai bhul gayi kya Priya aur uski dosto ko
aur Rajesh ko bhi bhul gayi jo baar baar Sameer aur tere bich me aa jaata tha
Neha ne iss tarah se kaha jaise iss kaam se sabse jyaada faaida usse hi hone
waala hai
Shruti:- nahi nahi bhula hai maine sabse badla lungi lekin abhi nahi pehle exam
aur shaadi khatam ho jaaye uske baad sochungi unka kya karna hai kisi ko nahi
chhodungi mere ego ko hurt kiua hai unhone aur meri beizzati bhi nahi bhul sakti
main uss beizzati ko aaj bhi yaad karte hue mera khoon khaul utthta hai bas
shaadi ho jaane de uske baad sochungi kyq karna hai aur kisi ko nahi chhodungi
Shruti ne behadd nafrat aur gusse se kaha
Neha:- tujhe sochne ki jarurat nahi hai hamne ek accha sa plan soch liya hai bas
plan par kaam karna baaki hai Neha ne confidence ke saath kaha to Shruti
hairaani se Neha ko dekhne lagi aur boli
Shruti:- kya tune plan bhi bana liya nahi koi jarurat nahi hai tujhe plan karne ka
tera plan kisi kaam ka nahi hota aur tujhe itni jaldi kya hai kahi isme tera to koi
faaida nahi? Shruti ki aawaj se pata chal raha tha ki wo kitna hairaan hai Neha ki
baat se
Neha:- tu meri dost hai iss liye tera help kar rahi hun agar tu nahi chaahti meri
madad to thik hai main jaa rahi hun lekin itna kahungi ki ek baar meri baat sunle
tera hi faaida hai isme Neha ne jaise taise khud ko sambhaala aur kaha usse dar
bhi tha ki kahi Shruti ko ye na pata chal jaaye ki isme uska hi faaida hai aur wo
bhi bohat bada faaida Shruti ka help bhi wo apne plan ko anjaam dene ke liye le
rahi thi
Shruti:- kaunsa plan? Shruti ne bhi utsukta ke saath puccha kyuki usse laga ki ek
baar sun lene me kya buraai hai
Neha:- yaha nahi college chhuti hone ke baad tujhe main apne dosto ke paas le
chalungi aur plan ke baare me bataaungi Shruti ko samajh me nahi aa raha tha
ki aisa kya plan hai jo Neha usko yaha bataana nahi chaahti thi aur apne dosto
ke saath kisi aur jagah par bataaane waali hai usse lag raha tha ki koi na koi
gadbad jarur hai par usne soch liya ki wo baat jaankar hi rahegi college khatam
hone ke baad Neha Shruti ko apne ghar me le gayi aur baithne ko kaha Shruti
baith kar soch hi rahi thi ki tabhi room me do ladka aaye jisse dekh Shruti buri
tarah se chaunk gayi aur hairaani se boli
Shruti:- Ramesh aur Pratap tum dono Shruti Ramesh aur Pratap ko Neha ke
ghar me aur uske room me dekh kar bohat shocked ho gayi thi usse samajh me
nahi aa raha tha ki ye dono yaha kya kar rahe hai aur Neha ka plan me inka kya
kaam hai usse itna to pata chal gaya tha ki chaahe jo bhi plan hai wo bohat
khatarnaak hai
Neha:- aise chaunk mat maine hi inhe bulaaya hai (Ramesh ki taraf ishaara
karke) ye hai mera boy friend Ramesh aur (Pratap ki taraf ishaara karke) ye hai
Pratap Ramesh ka dost ham teeno ne milkar ek plan kiya hai aur wohi bataane
ke liye tujhe bulaaya hai Neha ki baat ne Shruti ko firse jhatka diya Priya aur uski
dost se badla lena to koi badi baat nahi tha aur iss chhoti si baat ke liye itna plan
ye baat Shruti ki samajh me nahi aaya wo itni buri tarah se shocked thi ki thik se
bol nahi paa rahi thi bas aankho se hi ishaara karke Shruti ne puccha kya plan
hai? fir Neha ne Shruti ko utna hi bataaya jitna jaruri tha wo Shruti ko apna
mohra bana rahi thi aur jab Shruti apna kaam kar degi tab baaki ka kaam wo
karne waali thi jab saara plan Shruti ko samajh me aa gaya tab uska chehra ek
dam gambheer ho gaya wo soch rahi thi ki usse ye karna chahiye ya nahi
Neha:- kya soch rahi hai Shruti plan pasand nahi aaya kya Shruti ko aise
gambheer dekh Neha ne pucha
Shruti:- plan to badhiya hai par ek cheej accha nahi laga Rajesh ko maarna jaruri
hai kya nahi usse mat maarna bas chhota sa accident hi kaafi hai main unse
badla lena jarur chaahti hun lekin kisi ko jaan se nahi maarungi aur naahi t logo
ko ye karne dungi Shruti ne ekdam gambheer hokar kaha aur saath hi uske
kehne se hi pata chal raha tha ki uski baat me kitni sachchaayi hai
Neha:- Sameer ke dil me Priya aur uski dosto ke liye nafrat paidaa karne ke liye
Rajesh ka marna bohat jaruri hai tabhi to wo gusse me aake Priya aur uski dosto
se badla lega aisa badla lega ki saari jindagi Priya aur uski dost tadapte reh
jaayenge aur tum un sab ko tadapta dekh tumhara badla bhi pura ho jaayega
Neha ne Shruti ko samjhaana chaaha
Shruti:- nahi Sameer ke gusse ke liye Rajesh ka marna jaruri nahi hai acche se
jaanti hun Sameer ko aur shaayad hi koi mujhse behtar Sameer aur uski aadat
ko jaanta hoga dekha hai Sameer ka gussa aur nafrat Priya ke liye jab usse pata
chalega ki Rajesh ka accident Karan aur Priya ne kiya hai tab Karan aur Priya ka
khair nahi aur agar Rajesh mar gaya aur usse pata chala ki Karan aur Priya ne
ye kiya hai to gusse me Sameer kahi kuch buraa na kar de aur agar usse pata
chal gaya ki iss game me ham shaamil hai to pata nahi kya hoga main Sameer
se pyaar karti hun usse kisi haal me khona nahi chaahti aur naa hi uski najar me
dhokebaaz banna chaahti hun wo to bas Priya se badla lena chaahti hun iss liye
iss kaam me tum sab ka saath de rahi hun Rajesh ko maarne ka khayaal chhod
do uss ka koi faaida nahi aur naa hi main ye sab karne dungi apne swaarth ke
liye kisi ki bali nahi dungi agar Rajesh ko maarne ka khayal chhod do to main ye
plan par main kaam karungi warna nahi Shruti apne faisle se picche nahi hatne
waali hai ye dekh Ramesh ne kaha
Ramesh:- ok thik hai ham sirf Rajesh ka accident karenge
Shruti:- to thik hai abb taiyaari karenge Priya aur uski dosto se badla lene ka
jeena mushkil kar diya tha unhone mera 2 saal tak aur mujhe sabke saamne
beizzat bhi kiya abb Priya apni har galti ka keemat chukaagegi aur sochegi kis se
panga liya hai Shruti ne bohat nafrat se kaha abb uske dil me chhain aaya tha
Priya se badla lene ka soch kar
Shruti:- waise mujhe ek baat samajh me nahi aaya ki tum sab itni chhoti baat ke
liye itna kuch soch rahe ho aur tumhe to Priya aur uski dosto se kuch matlab bhi
nahi hai to fir ye sab kyu Shruti ne apni confusion ko apne baat se pucch liya
Neha:- tu meri dost hai iss liye tune mere liye bohat kuch kiya hai bohat help ki
hai abb meri baari hai main bhi tera kuch help karna chaahti hun iss liye maine
Ramesh se ye sab kaha aur ham teeno ne ye plan banaya avcha laga jaankar ki
tujhe ye plan pasand aaya fir kuch der ke liye Neha aur Shruti ne aage kya kya
karna hai iss baare me baat kiya aur tay kiya ki exams ke baad hi apne plan ko
anjaam denge kuch der ke baad Shruti waha se khushi ke saath chali jaati hai ki
uska badla bohat jald pura hone waala hai lekin usse kya pata tha ki Ramesh aur
Pratap ka asli plan kya hai Shruti ke jaane ke baad
Neha:- Ramesh tumne kyu Rajesh ko maarne se mana kar diya uske marne ke
baad hi to hamaara plan acche se kaam karta
Ramesh:- hamaara target Sameer hai Rajesh nahi Shruti bhi sahi keh rahi thi
hame Rajesh ko maarne ki jarurat nahi hai usko maare bina hi ham kaaam kar
sakte hai bas Sameer ka gussa aur nafrat ka istemaal acche se karna hai aur
agar Rajesh mar gaya to ye game kahi ham par hi bhari na pad jaaye hame
sambhal kar aur bina kisi ko pata chale apne plan ko anjam dena hai Sameer se
ham saamne se aur aasani se nahi jeet sakte usko kamjor karna hi hoga aur koi
bhi insaan sabse jyaada kamjor tab hota hai jab wo emotionally weak ho jaaye
thik wahi karenge ham wo gusse me Priya se badla to lega lekin bohat jald ham
usse ehsaas dilaayenge ki Priya ki koi bhi galti nahi tha tab tak bohat der ho
jaayega aur Sameer ko aatmaglaani hoga wo khud ki karm par pacchtaayega tab
wo emotionally itna weak ho jaayega ki ham sab aasani se usse badla le
paayenge tab hame sukoon milega bohat beizzat kiya hai usne hame wo bhi
hamaara junior hokar usse bhi to pata chale ki usne kisse panga liya hai usse
sabak sikhaa kar rahenge ki ham jaise bure logo se panga lena nahi chaahiye
Sameer abb tera barbaadi suru ho chuka hai jitna din chhain se jeena hai jee le
kyumi abb tujhe ye mauka nahi milega jald hi tu kuch aisa karega ki wo khud hi
teri barbaadi ka wajah ban jaayega aatmaglaani se na chhain se jew paayega
aur na mar paayega tab bhi tujhe nahi chhodunga aur tadpaaunga aur tadpa
tadpa ke maarunga itna keh kar Ramesh jor jor se hasne laga aur saath saath
Pratap aur Neha bhi sabhi Sameer se apna badla ka intejaar kar rahe the aur
Shruti ki saath se unhe yakin ho gaya ki jald hi wo din dur nahi jab wo Sameer se
apna badla lenge
After 1 month
aise hi din bitne laga aur sabhi ka exams bhi khatam ho gaya Sameer ka exam
bhi waisa hi gaya jaisa usne socha tha itne tensions ke baawjood bhi Sameer ke
saath saath sabhi ka exams unke expectations ke hisaab se gaya exams ke
baad Sameer ko thoda sa chhain mila warna wo pichle kuch mahino se Shruti ke
saath ghut ghut kar nee raha tha na kisi ko apna dard bataa paata aur naa hi
khushi ke saath jee paata kabhi kabhi to sochta bhitha ki college na jaaye lekin
isse uski study par asar par sakta tha isaliye wo majboor ho gaya tha Shruti ke
paas jaane ke liye Rajesh bhi Divya me hi khoya rehta aur usse bhi Sameer ki
iss haalat ka kuch pata nahi tha Sameer ghar e bhi ekdam shaant rehta aur iss
baat se uke parents anjaan nahi the lekin wo samajh rahe the ki Sameer ka
study abb khatam ho raha hai aur exams ki wajah se tension me hoga aise hi ek
din Sameer apne room me baitha khud ke baare me soch raha tha pehle wo
kaisa tha aur abb kya ban gaya hai kaha pehle ho hamesha khush rehne waala
masti majak karne waala aur hamesha dusro ke saath rehne waala Sameer tha
aur kaha abb wo puri tarah badal gaya tha hamesha shaant rehna chhoti si baat
par bhi gussa aana akela rehna aur hamesha chhidha hua rehna kitna badal
gaya tha uska aadat yahi sab baato ko dhyaan me rakhte Sameer sochne laga ki
kahi wo Shruti se shaadi karke koi galti to nahi kar raha hai wo aise me uski
jindagi aur barbaad ho sakta tha lekin kuch der sochne ke baad usne faisla kiya
ki wo Shruti se shaadi karega aur intejaar karega Shruti ke badalne ka issi me
sabhi ka khushi hai aur sabhi ki khushi ke liye ye kadam uthaana jaruri hai yahi
sab soch kar usne Shruti se shaadi karne ka faisla le liya aise hi kuch der sochne
ke baad usse Rajesh ka yaad aaya tab jaake Sameer ko ehsaas hua ki Rajesh
se baat kiye bohat din ho gaya hai aur wo apne gam aur ghutan me Rajesh ko
bhul hi gaya tha usne aur der na karte hue Rajesh ko phone par bula liya baat
karne ke liye aur kuch jaruri baat karne ke liye ek restaurant me koi ek ghante
baad Rajesh aur Sameer dono restaurant me pahunch kar chair par baith gaye
Rajesh:- kya baat hai yaar? aise achaanak kyu bula liye mujhe Rajesh ki baat se
yahi pata chal raha tha ki wo yaha iss wakt aana nahi chaahta tha lekin Sameer
ki wajah se usse yaha aana pada
Sameer:- tujhse baat karne ka mann kiya iss liye bula liya abb baat karne ke liye
bhi wajah chaahiye tujhe aur tera baat se to yahi lag raha hai ki tu mujhse baat
karna nahi chaahta agat tera mann nahi hai to jaa sakta hai Sameer ne naarajgi
jataate hue kaha
Rajesh:- arre nahi yaar thoda busy tha aur tune aise bulaa liya to mouh se galti
se nikal gaya chal bata kya baat hai Rajesh ne baat sambhaal liya
Sameer:- jaanta hun kis kaam me busy tha Sameer ne mudde par aane ki
koshish kiya lekin sidhe tarike se wo bataana nahi chaahta tha
Rajesh:- kya? kya kaha tune? main kis kaam me busy tha tujhe ye aise pata
chala? bohat din ho gaya tujhe mujhse baat kiye aur dekhe to fir tujhe kaise pata
chala Rajesh ne haklaate hue puccha usse dar tha ki Sameer ko kahi sach pata
na chal jaaye
Sameer:- yahi ki tu Divya ke pyaar me aur Divya ki yaad me busy tha Sameer ne
jhutthe muskaan ke saath kaha Rajesh ko jis cheez ka dar tha wahi hua Sameer
se chupaana chaahta tha wo ye baat ki wo Divya se pyaar karta hai lekin
Sameer ko pata chal hi gaya Rajesh ko samajh me nahi aa raha tha ki kya
jawaab de
Sameer:- main jhuth bol raha hun kya? iss baar Sameer ne gambheer bhaaw ke
saath kaha
Rajesh:- nahi main Divya se pyaar karta hun Rajesh ne bhi gambheer bhaaw me
jawaab diya aur saath hi aane waale pal ke liye khud ko taiyaar kar liya aaj
chaahe Sameer se fight hi kyu na ho jaaye wo picche hatna nahi chaahtaa tha
apne pyaar ki baat abb wo Sameer se keh kar hi rahega ye usne apne mann me
soch liya
Sameer:- jaanta hai na Mahesh ko kya saza mila tha pyaar karne ka?
Rajesh:- jaanta hun aur mujhe bhi utna hi dukh hua tha jitna ki tujhe wo mera bhi
dost tha dekha hai maine bhi kitna roya tha wo kitna aansu bahaaya tha usne
uss bewafa ke liye uski tadap uska dard aaj bhi aankho se saamne aa rahe hai
Mahesh ko dekh bilkul aisa lag raha tha ki uski jindagi tabaah ho chuka hai abb
kuch baaki nahi hai uski jindagi me bohat mushkil se sambhala hai hamne usse
bhagwaan aisi saza kisi ko na de jo Rajesh kuch der pehle ekdam se aakramak
ho gaya tha wo abb maheah ko yaad karke bohat emotional ho gaya tha uski
baato se lag raha tha ki kitna dard hua tha usse bhi Mahesh ka wo haal dekh kar
Sameer:- issi liye keh raha hun sambhal jaa abhi bhi wakt hai kahi aisa na ho ki
tujhe bhi pyaar me dhokha mile aur tu bhi apni galti chupaane ke liye bhagwaan
ko mat kosna Sameer Rajesh ko samjhaana chaahta tha ki pyaar se jitna ho
sake utna dur rehna lekin usse kya pata tha Rajesh bas issi baat ka intejaar kar
raha hai sabhi baat clear karne ke liye
Rajesh:- tu Divya ko uss bewafa se compare kar raha hai bohat baar kaha hai
maine tujhe Divya ke baare me kuch mat bol lekin tu maanta hi nahi har baar
Divya me khilaaf kuch na much kahe jaa raha hai kahi aisa na ho jaaye ki teri
baat mere bardaasht ke baahar ho jaaye tab pata nahi kya ho jaayega hamaare
beech agar tujhe hamaara dosti ko sahi salaamat rakhna hai to Divya ke baare
me kuch mat bol maine kabhi tera aur Shruti ke maamle me dakhal nahi diya to
tu kyu hamaare bich kawaab me haddi ban raha hai ye mera life hai aur main jo
chaahunga wo karunga rokne waala tu hota kaun hai college me bhi baar baar
tang adaata raha hai jaise main tera naukar hun aur teri marzi se hi mujhe pyaar
karna hoga bas dost samajh kar kuch nahi kehta tha lekin aaj to hadd hi ho gaya
jaise tere liye Shruti hai waise mere liye Divya hai tu bhi to Shruti se pyaar karta
hai maine kuch kaha kya to tu kyu mujhe apna advice de raha hai baat to tu abb
samajh hi gaya hoga agli baar fir se Divya ke bare me kuch mar kehna bardaast
nahi kar paaunga itna keh kar Rajesh chup ho gaya jab usne apni baat khatam
kiya tab uski aankh laal ho gaya gusse se bohat dino se jo bhadaas tha uske dile
usse aaj Rajesh ne nikaal hi diya Sameer ko to vishwaas hi nahi ho raha tha ki
Rajesh kabhi ka hi bhi usse itna gussa ho sakta hai wo to accha kaam hi karne
jaa raha tha Rajesh ko samjhaane ma lekin Rajesh ne iss baat ka galat matlab
nikaal liya
Sameer:- shaant ho jaa yaar mera wo matlab nahi tha main to tujhe samjhaana
chaahta tha lekin shaayad samjhaane ka ye acxha tarika nahi tha agar tujhe
lagta hai ki tu sahi kar raha hai to koi baat nahi kar Divya se pyaar abb main
kawaab me haddi nahi banunga jee le yaar apni jindagi bas yahi dua karunga ki
tu hamesha khush rahe aur Mahesh ke saath jo hua wo tere saath na ho
Rajesh:- mujhe lagta hai abb koi topic nahi hai hamaare paas baat karne ke liye
sab kuch clear ho gaya hai abb main jaa raha hun and all the best for your
marriage uske liye bohat bohat badhaayi Rajesh gusse me hone ki wajah se baat
rookhe pan se kaha aur nikal gaya restaurant se baahar bina Sameer ka jawaab
sune Rajesh ne shaadi ke liye jo badhaayi diya usse Sameer ki chehre par dard
bhara muskaan aa gaya wohi jaanta tha kitna bhraa lag raha hai usse Sameer
wohi par baith kar Rajesh ko samjhaane ki nakaam koshish ke baare me soch
raha tha ki tabhi restaurant ke baahar se kisi ka dard bhara cheekh Sameer ke
kaano me pada Sameer ko samajhte der nahi laga ki ye cheekh Rajesh ka hai
daudte hue wo restaurant se baahar nikla bas yahi dua ke saath ki uska soch
galat ho aur ye cheekh Rajesh ka na ho jab Sameer restaurant se baahar nikla to
saamne ka najaara dekh wo bohat ghabra gaya Rajesh road ke ek side par pada
hua tha kamar aur sar me se khoon nikal raha tha aur chaaro taraf aadmiyon ne
apna circle bana liya tha saamne ka najaara dekhne ke liye koi help nahi kar
raha tha Sameer ka dimaag ne jaise kaam karna band kar diya tha ghabraahat
me lekin jaldi se usne khud ko sambhaala aur darte hue teji se Rajesh ki taraf
badha shaayad Sameer ka luck accha tha uss din kyu ki wo car se aaya tha
restaurant me agar bike se aata to mushkil bohat badh sakta tha shaayad hi koi
car lift deta Sameer ko Rajesh ko hospital tak pahunchaane me Sameer ne bina
kuch soche Rajesh ko car ki picche waali seat par acche se rakh kar teji se car
ko drive karke hospital ki taraf le gaya wo jitna jaldi Rajesh ko surakshit tarike se
hospital pahunchaa sakta tha usne pahunchaa diya hospital me pahunchne ke
baad usko ek pehchaan ka dctor mil gaya Mr Sharma bhi ek Dr thhe to Sameer
ka Drs se pehchaan hona koi badi baat nahi tha bina der kiye Rajesh ko icu me
bheja gaya aur uska treatment ka process suru ho gaya police case ki wajah se
treatment me koi deri nahi hua andar Rajesh ka treatment chal raha tha aur
Sameer ward ke baahar baitha hua tha uske chehre me koi bhaaw nahi tha
andar se wo ekdam dar gaya tha aur yRajesh ka aage kya hoga yahi soch kar
tension me aa gaya tha na jaane kitne bhagwaan ko yaad kar liya tha usne apna
dost ko iss haal me dekh khud par kya gujarta hai ye to sirf wohi jaan sakte hai
jinhone ye mehsoos kiya ho kuch pal ke liye to Sameer ko koi hosh hi nahi tha
dheere dheere uski aankhon se aanshu nikalne laga aur wo khud se hi kehne
laga
Sameer:- (to himself) maaf karde yaar mujhe sab meri hi galti hai na main tujhse
wo sab kehta aur naa hi tu waha se iss tarah nikalta aur naa hi ye sab hota lekin
yaar yakin kar mera main tere bhalaayi ke liye hi keh raha tha mujhe bhi Divya
acchi ladki lagti hai lekin ye pyaar par vishwaas na raha tere liye jarur pray
karunga pehle tu thik ho jaa aur tera pyaar tujhe mile kuch der tak yunhi Rajesh
ke baare me sochne ke baad Sameer ko Rajesh ka parents ka bhi yaad aaya
abb Sameer ka dar aur badh gaya Rajesh ke parents ko kaise ye baat bataaye
ye usko samajh me nahi aa raha tha kya gujrega unn par jab unhe apne beta ka
iss haal ke baare me pata chalega ye soch kar wo bohat dar gaya tha kuch pal
aise hi dar aur chinta me gujarne ke baad Dr baahar aa gaye Dr ke baahar aate
hi Sameer ekdam se utth kar Dr ke paas gaya aur darte hue puccha Sameer:-
docor abb maisa hai Rajesh? isse jyaada Sameer kuch bol nahi paaya Dr ne bhi
Sameer ka haalat dekh uske kandhe par haath rakhte hue kaha
Dr:- relax Mr Sharma darne ki koi baat nahi hai Rajesh is out of danger jis gaadi
ne Rajesh ko thakkar maara tha usne Rajesh ke kammar ma daaye taraf takkar
maara tha iss wajah se jyaada chot nahi aaya sar jameen me takraane ki wajah
se bleeding hua tha aur thoda ghaaw kammar me bhi ho gaya hai han agar wakt
me na laate to kuch bhi ho sakta tha bilkul sahi wakt par laaya usse aur jyaada
khoon nahi beh paaye warna hamaare liye bohat mushkil ho jaata usse
bachaana Sameer ne jaise hi he suna wo ekdam se khush ho gaya mann hi
mann bhagwaan ko thanks kaha aur Dr se bola
Sameer:- thanks a lot Dr jyaada khushi me Sameer aur bol nahi paaya iske baad
Sameer ne Dr se kuch formal baat kiya aur dawaai ke baare me information liya
Dr ne kaha ki abhi Rajesh ko hosh aaya nahi hai kuch ghanto me usse hosh aa
jaayega tab wo usse mil sakta hai Dr ke jaane ke baad Sameer ne Rajesh ke
parents ko phone lagaya aur hospital me bulaa kar sab kuch bataa diya pehle to
wo bohat dar gaye the lekin puri baat sunne ke baad Rajesh ke papa ne kaha
R papa:- nahi beta tumhaara koi galti nahi hai khud ko doshi mat maano
mushibat kisi ke saath kahi bhi aa sakta hai tumne to accha kiya hai usse sahi
wakt par hospital laakar Rajesh ki papa ka baat sun kar Sameer ke dil se thoda
bojh kam hua wo to dar raha tha ki Sameer ke papa usse kya kahenge lekin unki
baato ne Sameer ko raahat diya kuch pal hi hua tha Sameer ko unse baat karke
ki tabhi Shruti ka phone aaya Sameer ne na chaahte hue bhi uthaaya lekin jaise
hi usne phone uthaaya Shruti ne jo baat usse bataaya usse sun Sameer ek dam
se shocked ho gaya
Shruti:- Sameer Rajesh Rajesh Rajesh ka accident kiya hai kisne jaanbujh kar
kaha ho tum jaldi se hosputal pahocho Shruti ne haklaane aur darne ka naatak
karte hue kaha Shruti ki baat sun kar Sameer ekdam se shocked ho gaya Rajesh
ka accident kaun karwa sakta hai aur Shruti ye kya bol rahi hai yahi soch kar
Sameer ne chaunkte hue bas itna hi kaha
Sameer:- main yahi hospital me hun tum bhi yahi aa jao iske baad Sameer ne
Shruti ko hospital ka address send kar diya wo Shruti se mil kar baat karna
chaahta tha jab tak Shruti hospital pahunchti Sameer ne khud ko mentally
prepare kar liya aane waale pal ke liya jab Shruti ko hospital ki main gate se
enter karte Sameer ne dekha wo jaldi se Shruti ke paas pahunch gaya aur
Rajesh ki parents se dur le jaakar kaha
Sameer:- abb bataao kisne karwaaya Rajesh ka accident? Sameer ne nafrat aur
gusse ke saath kaha uske chehre ka gussa dekh aisa lag raha tha haise agar
Sameer ko wo insaan mil jaaye to wohi jindaa gaad de
Shruti:- Priya aur Karan Shruti kuch der chup rehne ke baad himmat karke boli
Sameer ko to iss baat par vishwaas hi nahi hua
Sameer:- kya bakwaas kar rahi ho? yaha Rajesh ka ye haal hai aur main yaha
itna tensuon me hun lekin tumhe majaak sujh raha hai agli baar firse ye bakwaas
majaak kiya na to dekh lena abb jao yaha se isse pehle main kuch karu bohat
jhel liya hai tumhaari bakwaas abb aur nahi Sameer ka saara gussa Shruti par
utar gaya usse vishwaas hi nahi ho raha tha ki Priya aur Karan aisa kar sakte hai
Shruti bhi kuch nahi boli bas haath me rakhe tape recorder ko on kiya uss me ek
ladka aur ladki baat kar rahe the
Ladki:- waao Karan tumne aakhir kar hi diya ye kaam abb Karan iss duniya se
chala jaayega ahr Sameer bechara tadapta rahega uska yaad aur dosti me fir
baad me usse bhi iss duniya se vida kar denge
Karan:- ye sab tumhaare liye hi to kiya hai Priya bohat beizzat kiya hai na usne
tumhe ussi ka badla le rahe hai ham chhodunga nahi uss kameene ko iske baad
Shruti ne tape band kar diya aur Sameer se kaha
Shruti:- abb to maanoge na tum iss me unka haath hai Shruti ne Sameer ko
bhadkaate hue kaha
Sameer:- (nafrat se) socha nahi tha kameene itna gir jayenge ki picche se vaar
karenge mera hi galti hai inki galtiyon ko najar andaaz kiya chhodunga nahi iss
Karan aur Priya ko abb dikhaata hun Sameer ka gussa kya hai bohat seh liya inn
sab ko socha tha sudhar jaayenge lekin nahi laato ke bhoot baato se nahi
maante Sameer ki aawaj se lag raha tha ki wo kitna gussa hai agar Karan aur
Priya paas hote to unka kya hota ye to uparwaale hi jaane Sameer ka haal iss
wakt kuch aisa tha ki uska sochne samajhne ka shakti bohat kam ho gaya tha
pehle Shruti ki wajah se ghut ghut kar jee raha tha uske baad Rajesh ke saath ye
haadsha aur achanak Karan aur Priya ke baare me ye sab pata chalne se wo
kuch soch hi nahi paaya aur Shruti ka wo voice dubbed record ko sach maan liya
kuch pal yunhi gusse me niche dekhne ke baad Sameer ko kuch yaad aaya aur
usne Shruti se puccha
Sameer:- lekin tumhe maise pata chala ki ye Karan aur Priya ne kiya hai tumhe
ye tape kaha se mila aur kisne record kiya hai ye? Sameer ki iss sawaal se
Shruti ki jeet ki khushi achanak gaayab ho gaya kaha wo andar hi andar khush
thi aur kaha abb wo Sameer ki iss sawaal se darne lagi lekin achanak hi Shruti
ke dimaag me ek idea aa hi gaya
Shruti:- sab hamaare jaise acche nahi hote Sameer Karan aur Priya unhe sab
college me jaante hai ki wo kaise hai tumne kabhi dhyaan nahi dita unhe lekin
college me saare students unn se nafrat karte hai aur bohat se dushman bhi hai
unke unhi me se ek ne ye record kar liya tha chhupkar aur mujhe de diya taaki
ham unhe sabak sikhaaye jisne ye tape diya usne chehre par nakaab pehna tha
privacy ke liye Shruti ne bohat hi aasani se apna safaayi de diya aur Sameer ne
bhi uski baat ko sach maan liya ki Rajesh ka accident me Karan aur Priya ka hi
haath hai uske baad Sameer ne Priya aur Karan se badla lene ka thaan liya aur
uske dimaag me kuch aisa aaya jisse soch uske chehre par ek kutil muskaan
aaya uss kutil muskaan dekh kar hi pata chal raha tha ki uska soch kitna
khatarnaak hai aur ussi khatarnaak soch je kaaran kar baitha Sameer ye bhool
Sameer aise hi kuch soch raha tha ki tabhi Shruti ne uska dhyan bhang karte
hue puccha
Shruti:- abb ham kya karenge?kuch na kuch to karna hi hoga har baar ye log
apna manmaani karte hai aur ham log chup rehte hai issi wajah se inka himmat
badhta hai abb hame kuch na kuch jarur karna chaahiye aur inhe sabak
sikhaana chaahiye
Sameer:- karunga bohat bura haal karunga inka jindagi bhar sochenge kisse
panga liya hai Sameer ne behad nafrat ke saath kaha
Shruti:- kya karoge kuch socha hai iss baare me? Shruti ne Sameer ko aur
bhadkate hue kaha
Sameer:- abhi jyada soch ato nahi lekin jo bhi saza dunga wo bohat khatarnaak
hoga ye to yakin ke saath keh sakta hun
Shruti:- mere khayal se hame police ko saara case bata dena chaahiye police
unn dono ko arrest kar lenge tab attemp to murder case me kuch saal jail me
sadenge Shruti ne keh to diya ye baat lekin wo khud nahi chaahti thi ki aisa ho
wo chaahti thi ki Priya aur Karan ko badi saza mile Sameer ko uss par shak na
ho jaaye iss liye jaldbaazi me koi kadam uthaana nahi chaahti thi
Sameer:- nahi ye koi saza nai hai jail me 2 ya 3 saal sadenge uske baad free
main chaahta hun unhe jindagi bhar ka gam du bardaasht karne ki bhi ek hadd
hota hai bohat jhagde hue hamaare bich lekin chup raha sochta tha 2 saal ke liye
to college me hai uske baad wo apne raaste ham apne raaste lekin nahi unhe
badla lena hai hamse dushmani mujhse lekin hamla mere dost par jaanti ho
bohat mushkil se bacha hai wo agar kuch pal aur der hota to pata nahi kya se
kya ho jaata ye log itna gir jayenge socha nahi tha aajtak kisi ka bura nahi
chaaha lekin aj majbur hun khud se shaayad aaj inhe chhod du to pata nahi kal
kya karenge jaldi kuch na much karna hoga aur inhe jindagi bhar na bhulne
waala saza dena hoga Sameer ne behad nafrat ke saath kaha uska haaw bhaaw
dekh kar lag raha tha ki kitna vyakul hai wo bas jaldi se Priya aur Karan ko saban
sikhaana chaahta tha wo Shruti Sameer ki baat se ekdam khush ho gayi aur wo
chup hi rahi usse yakin ho gaya tha ki bohat jald Sameer apna kaam kar lega issi
tarah idhar udhar chalne ke baad Rajesh ki papa ne aakar Sameer ko bataya ki
Rajesh ko hosh aa gaya hai sabhi Rajesh se mil chuke the bas Sameer hi baaki
tha Sameer bhi Rajesh se milne andar gaya Rajesh ki sar me ek patti tha aur ek
patti kamar ki daayi hisse me Sameer ko Rajesh ka ye haal dekh bohat buraa lag
raha tha ek boond aansu uski aankho se nikal gaya aur bhari awaaj me kaha
Sameer:- kaisa hai yaar abb? Sameer ki bhaari awaaj sun Rajesh ko bhi bohat
buraa lag raha tha aatmaglaani waali aawaj me usne kaha
Rajesh:- sorry yaar dimaag kharab ho gaya tha mera jo tujh par shak kar baitha
tujhe apna pyaar ka dushman samajh liya tha socha ki tujhse meri khusi dikhi
nahi jaati lekin abhi pata chala papa se ki kaise tune mujhe hospital laaya aur
kitna dukhi tha
Sameer:- waah yaar kya dosti nibhaaya hai tune han kabhi kabhi gusse me baat
karta tha kabhi kabhi Divya se alag rakhta tha wo issliye nahi ki main teri khusi
se jalta hun balki iss liye ki main tukhe khush dekhna chaahta hun ek dost ki dard
dekha hai aur main ye nahi chaahta tha ki tera bhi wahi haal hota dekhu sorry
yaar tera bhalaayi socha tha maine buraayi nahi jo karna hai kar yaar aaj se
main tujhe nahi rokunga please maaf kar de picchli galti ke liye aage se aisa nahi
karunga ye kehte kehte Sameer ekdam emotional ho gaya tha aur Rajesh ki
aatmaglani badhta jaa raha tha
Rajesh:- abb aur kitna sharminda karega mujhe maaf karde yaar anjaane me
galti ho gaya ye gussa ka sabak mujhe mil gaya hai yar iss accident se pata chal
gaya hai ki gusse me apna dimaag par se kaabu khona nahi chaahiye tujhse
ladne ke baad main itna gussa me tha ki bina kuch dekhe chal raha tha aur ye
sab gaya bhai yakin kar pyar ka maamla aisa hi hota hai apne bhi paraaye lagne
lagte hai jab wo pyar ka virodh kare to uss wakt dimaag kaabu me nahi rehta na
chaahte hue bhi tujhe galat samajh liya abb aage se aisa kuch nahi hoga agar
tujhe galat lagta hai to main Divya ki taraf dekhunga bhi nahi Rajesh ki aawaj se
lag raha tha ki usse sach me paschataap hai apni galti par
Sameer:- overacting band kar nahi bhul paayega Divya ko agar tu usse saccha
pyaar karta hai to pyaar ke baare me itna to jaanta hi hun tujhe pyar karne se
nahi rol raha hun bas ye keh raha hun ki galat ladki se pyar mat karna Divya ko
mujhse jyaada tu jaanta hai to acche se soch le kya karna hai tera life hai aur
tujhe hi ye decision lena hai Sameer ne behad suljha hua jawaab diya isike saath
dono ki bich gile sikwe bhi khatam ho gaya
Rajesh:- yakin kar yar Divya waisi ladki nahi hai wo mujhse keh degi I dont love
you lekin dholha nahi degi
Sameer:- ok thik hai bas yahi dua karunga ki tujhe tera pyar mil jaaye aur tu
hamesha Divya ke saath khush rahe iske baad Sameer aur Rajesh thodi der aise
hi normal baat karte hai Sameer ne ye nahi bataya Rajesh ko ki uske accident ke
piche Priya aur Karan ka haath hai wo nahi chaahta tha rajeah ko koi tension
dena Rajesh ki ward se nikalne ke baad Sameer ne Shruti ko ek kone me le
jaakar pucha
Sameer:- tumhe Priya aur Karan ka address pata hai kya?
Shruti:- nahi lekin kyu?
Sameer:- pehle unka address pata lagaunga fir baaki ka kaam bohat bura haal
kiya hai unhone Rajesh ka kitna dard ho raha tha usko ye haal me dekh kar
chhodunga nahi kameeno ko Sameer ka chera me ekdam se nafrat ka bhaaw aa
gaya
Sameer:- kal pehle college jaaunga aur unn dono ka address dhund nikaalunga
uske baad itna kehte hi Sameer chup ho gaya aur ek kutil muskan uske chehre
par aa gaya next day Sameer subah 10:00 am ke kareeb apna college pahuncha
wo jaise hi administration ki taraf jaane waala tha piche se ek haath Sameer ki
kandhe par pada Sameer ne picche mudd kar dekha to ek 50-55 saal ka aadmi
khada tha aur uski aankh nashe me laal tha pair ladhkhada raha tha dekhne se
hi pata chal raha tha ki unhone sharab piya tha
Aadmi:- beta tum Priya ko jaante ho kya? uss aadmi ki mouh se aa raha sharab
ka badbu Sameer ko bilkul accha nahi lag raha tha wo usse dur jaana chahta tha
lekin Priya ki nam sunkar wo wahi ruk gaya
Sameer:- kaun Priya? uske baad uss aadmi ne ladhkhadaate jubaan me Priya ka
huliya bataya Sameer ko yakin ho gaya ki ye aadmi wahi Priya ke baare me bata
raha hai jisse dhundne wo yaha aaya tha
Sameer:- aap usse kyu dhund rahe hai? kaun hai aap?
Aadmi:- main Priya ka papa hun bohat din ho gaye usse mile iss liye uski maa ne
jabardasti mujhe milne ke liye bhej diya ye maa beti aur inka torture Sameer ne
jaise ye suna usse ek dam se shock laga koi baap apne beti ke baare me aisa
kaise keh sakta hai koi baap aise sharabi aur gair jimmedar kaise ho sakta hai
unki baat se aisa lag raha tha ki unhe Priya se koi lagaaw nahi hai aur usse
milne bhi nahi aana chaahte hai kuch der aise hi sochne ke baad Sameer ki
dimaag me ek baat aaya aur saath hi chehre par kutil muskaan usne ek plan
bana liya Priya ka papa ka istemaal karke Priya ki jindagi barbaad karne ka
ekdam se uske chehre me raunak aa gaya aur khushi ke saath bola
Sameer:- wo to apne ghar me hogi iss wakt yaha college me kya karne aayegi
wo course aur exam to complete ho gaya hai hamaara
Priya’s dad:- abhi abhi gaaw se aaya hun jab uske flat me gaya to wo nahi thi
phone par puccha to college me hun bola tha usne iss liye aa gaya college me
dhundne aur jaate jaate uske padhaai ki baare me puch bhi lunga college me
Sameer:- wo aapko apne padhaayi aur exam ke marks ke baare me bataati nahi
hai kya? Sameer ko Priya ki papa ki behavior sach me hairaan kar raha tha koi
bhi pita apne santaan ke prati careless kaise ho sakta hai wo bas yahi soch raha
tha
Priya’s dad:- bataati to hai kehti hai ki accha marks laati hai har exam me lekin
mujhe viswaas nahi hai ki wo sach bol rahi hai jhuth bhi to bol sakti hai ye ladki
padhne ke liye kuch bhi kar sakti hai lekin padhne me kamjor hai iss liye mujhe
lagta hai ki ye jarur jhuth bol rahi hai aage padhne ke liye yahi baat aaj college
waalo se puchunga (kuch sochte hue) beta tum to uske dost ho na to tumhe to
pata hi hoga wo kaisi hai padhne me padhne aati hai college me yaa fir masti
karne aati hai? Priya ke papa sharab ki nashe me aakar kya bol rahe hai ye bhi
unhe pata nahi tha apni hi beti ki buraai kisi dusre insaan se kar rahe the
Sameer:- uncle kehna to nahi chaahiye ye ap dono baap beti ka maamla hai
lekin aap puch rahe hai to bata deta hun Priya padhne me bohat kamjor hai
bohat mushkil se pass ho rahi hai exams me Sameer Priya se badla lene ke liye
kuch bhi karne ko taiyaar tha to fir ye toh ek maamuli sa jhuth tha uske liye usse
itna to pata chal chuka tha ki Priya ke papa Priya ko utna nahi chaaahte hai bas
issi baat ka faaida utha kar Sameer Priya ke papa ko Priya ke khilaaf hi
bhadkaane ka soch raha tha aur hua bhi waisa Sameer ki baat sun mar Priya ke
papa ke chehre par teji se gusse ki bhaaw aa gaye aur wo bole
Priya’s dad:- itna bada jhuth aane do uss ladki ko maine pehle hi mana kiya tha
usse aur padhne ko lekin ye maa beti meri baat maane tab na waise bhi ladkio
ka padhne se kya faaida shaadi ke baad to pati ka sewa hi inka dharm hai lekin
ye Priya bohat ziddi hai aur iska maa bhi iska hi saath de rahi hai mujhse lad
jhagad kar aa gayi padhne lekin padhaai nahi masti kar rahi hai aur hamse jhuth
bolti hai ki padhaayi accha chal raha hai aane do usko khabar leti hun uska
acche se gaanw le jaakar Priya ke papa ne behad nafrat ke saath kaha Sameer
ko apna kaam asaaan hota najar aane laga
Sameer:- han uncle ekdam sahi kaha aapne ye aajkal ki ladkiyaan aajkal to
fashion ban gaya hai inka padhna likhna aur mard ka har kaam karna mera bhi
yahi maana hai ki ladki ko ghar ka kaam hi karna chaahiye issi me ghar ka izzat
sanskar aur maan maryada tika rehta hai warna dekhiye na aajkal ki ladkiya kitni
besharm ho gayi hai inka ye fashion dekh kar to aisa gussa aata hai ki puccho hi
mat galti bhi hamaara hi hai aakhir hamne hi inhe chhoot de rakha hai Sameer
ko pata chal gaya tha ki Priya ke papa puraane khayalat ke hain aur Sameer ki
ye baat se wo jarur sehmat honge
Sameer:- (in his mind) oh god na chaahte hue bhi mujhe kya kya bolna pad raha
hai aisa bolna to dur sochta bhi nahi hun main lekin iss Priya ki wajah se ye sab
bolna pad raha hai aur khud ki najro me girna pad raha hai lekin koi baat nahi
Priya ko sabak sikhaane ke liye ye sab karna hi hoga buraai ko sabak sikhaane
ke liye buraai ka istemaal karna galat nahi hoga itna sochne ke baad Sameer ne
ek najar Priya ki papa kintaraf ghumaaya wo bohat gusse me najar aa rahe the
Sameer ne mauka dekh ek aur prahar kiya
Sameer:- uncle aap mujhe accha aur ekdam sidha insaan lagte hai iss liye ek
jaruri baat keh deta hun Priya aapke siddhapan aur acchayi ka faaida utha rahi
hai aap jaante hai padhaayi me wo kamjor kyu hai kyuki uska ek boyfriend hai ek
ladka ke saath chakkar chal raha hai uska aise me wo time padhaayi par degi ya
apne boyfriend par Priya ekdam chalu type ki ladki hai Sameer ne Priya ki papa
ko bhadkaane ka koshish kiya usse thoda dar bhi lag raha tha ki kahi Priya ke
papa kahi usse hi gussa na ho jaaye aur usko peet na de lekin tir jaake thik
nishaane par laga
Priya’s dad:- mujhe to pehle se hi shak tha iss ladki par pehle se hi ladko ke
saath baat karti hai bohat bigad hai ye ladki aur college me wo ye sab kar rahi
hai kya karu iss ladki ka kuch samajh me nahi aa raha Priya ke papa ka gussa
saatwe aasman par tha wo gussa aur sharab ki nashe me aakar apne beti ke liye
hi nafrat ko baahar nikaal rahe the aur Sameer ki baat par andhe tarike se yakin
bhi kar rahe the nasha aur gussa me unke sochne samajhne ki shakti bhi khatam
ho gaya tha Sameer ne jaisa socha tha Priya ke papa usse bhi gire hue nikle koi
anjaan unki beti ke character par ungli uthaaye uss par bhi wo kuch nahi keh
rahe the ulta saath de rahe the abb Sameer ko apna manjil jyaada dur nahi lag
raha tha aise hi sochne par Sameer ke dimaag me Priya se badla lene ka ek
jabardast idea aaya wo pura confirm nahi tha ki ye plan kaam karega ya nahi
firse usne Priya ke papa se kaha
Sameer:- waise mere paas ek idea hai Priya ko sudhaarne ka aur aapki izzat
mitti me na milne ka aapka hi faaida hai isme Sameer ne Priya ke papa ki
aankho me aankh daalkar kaha
Priya’s dad:- kya idea? Priya ki papa ne utsukta ke saath puccha Sameer ki
baato se itna to unhe yakin ho gaya tha ki Sameer unke saath hai unhone ye tak
nahi socha ki kis liye aur Sameer ka kya faidaa unka saath dene me bas Sameer
ki baat par andha yakin kar rahe the
Sameer:- Priya ki shaadi karwa dijiye Sameer ne ek krur aawaj me ye kaha uski
iss krur aawaj se pata chal raha tha ki wo kitna nafrat karta hai Priya se uski
baato se Priya ke papa ko ek jhatka sa laga gusse me wo bole
Priya’s dad:- shaadi karwa du paagal ho gaye ho kya? aise kaise shaadi karwa
du uska dahej ka paisa kaise dunga kaun karega bina dahej ke usse shaadi
pehle hi wo mere liye bojh hai itna paisa kaha se aayega mere paas uske liye?
aise bakwaas idea apne paas hi rakho ye pehli baar tha jab Priya ke papa
Sameer se gussa hue the
Sameer:- arre nahi nahi uncle aapne meri baat ka galat matlab nikal liya iss
shaadi me aapka hi faaida hai Sameer ne jaldi se baat ko sambhaalte hue kaha
Priya ki papa kuch nahi bole bas Sameer ki baat ka intejaar kar rahe the
Sameer:- dekhiye uncle meri bat maaniye aur Priya ki shaadi kisi sharaabi se
kara dijiye Priya khubsurat to hai hi usse shaadi har koi karna chaahega kisi
ameer sharabi ko pakadiye aur usse Priya se shaadinke liye manaaiye mujhe
yakin hai wo Priya ko inkaar nahi karega ulta aap ko hi dahej dega wo Priya ka
ek ladka se chakkar chal raha hai agar Priya uske saath bhaag gayi to kya izzat
reh jaayegi aap ke gaaw me aur wo ladka bhi accha nahi hai jaanta hun main
usse wo kuch hi din me Priya ko chhod dega tab sochiye kitna beizzati hoga
aapka fir koi bhi Priya se shaadi nahi karega iss liye behtar yahi hoga ki aap kisi
sharaabi se uska shaadi kara dijiye Sameer ki baat sun kar Priya ke papa soch
me pad gaye unhe bhi Sameer ki baat sahi lag raha tha
Priya’s dad:- lekin beta sharaabi se shaadi kara dena thik rahega kya? pehli baar
Priya ki papa ko Priya ka thoda sa fikar hua lekin iss feeling se wo anjaan the wo
abhi bhi yahi maan rahe the ki wo Priya se nafrat karte hai
Sameer:- iss me aapka hi faaida hai bas sharaabi log hi dahej ulta aap ko denge
aap bhi to ek sharaabi hai to kya aap apna ghar nahi chala rahe apni biwi aur
family ko time de rahe hai ya nahi kuch nahi hoga uncle Priya bhi khush rahegi
aur aapko bhi paisa mil jaayega Sameer ki iss baat se Priya ke papa ne usse
gusse se ghoora Sameer ko jald hi apna galti ka ehsaas ho gaya
Sameer:- oh sorry uncle main bhi sharabi hun sharabi baat par itna gussa kyu ho
rahe hai sharabi hona koi galat baat to nahi bas duniya waale hame galat
maante hai Sameer ne jald hi baat sambhaal liya aur Priya ke papa ke chehre
me ek muskaan aa gaya kuch der sochne ke baad Priya ke papa bole
Priya’s dad:- to tum kyu nahi kar lete Priya se shaadi? Sameer ko iss baat se ek
bada jhatka laga jaise taise usne khud ko sambhaal kar kaha
Sameer:- arre nahi uncle mere paas aapko dene ke liye kuch nahi hai do wakt
khaane ka jugaad nahi ho paata acche se garib pariwaar me paida hua hun
daaru bhi chhip chhip kar peena padta hai
Priya’s papa:- oh thik hai gaaw me hi koi dhund lunga waise beta tumne ye
bataya nahi ki tum mera madad kyu kar rahe ho? aajkal to koi kisi ka madad nahi
karta aur ek sharaabi ka to bilkul bhi nahi
Sameer:- ek sharabi hi to dusre sharabi ka kaam aata hai iske baad Sameer
Priya ki papa se unke gaaw ka address leta hai aur waha se chala jaata hai
raaste me Sameer khud se hi baat kar raha tha
Sameer:- Priya abb aayega maja dekhna teri life ko nark se bhi badtar bana
dunga bohat khel liya tune mere aur mere dosto se naa chaahte hue bhi mujhe
tere khilaaf aisi plan banana pad raha hai jo main kabhi nahi chaahta tha tune hi
mujhe majboor kiya hai tu Karan se pyaar karti hai na jald hi ye pyaar ka khel par
full stop lag jaayega jaanta hun pyaar tutne ka dard kya hota hai dua karunga ki
tujhe bhi ye dard mile aur jindagi bhar tu roti rahe agar tera pyar Karan ke liye
sacha nahi hai to bhi koi fark nahi padega tera laalchi baap ko tere khilaaf
bhadka kar ek sharabi se shaadi karwa raha hun sharab hi rishte bigaadne ka
kaam karta hai jab tera shaadi kisi sharaabi se ho jaayega tab to teri life apne
aap barbaad ho jaayega jindagi bhar roti rahegi tujhe main jindagi bhar ke liye
gam dene jaa raha hun jiski wajah tu hai sirf tu 2 din baad tera gaaw aaunga aur
tera dukh aur dard dekhunga apni aankho se tab jaakar mujhe chhain milega
tujhe rota hua dekhna chaahta hun tera shadi wo bhi bina teri marji ke dekhne
me maja aayega teri barbaadi dekhne aa raha hun main I am coming soon itna
keh kar Sameer apne chehre me ek kutil muskaan lekar apne ghar ke liye nikal
gaya
2 days later
Sameer subah subah hi nikal gaya Priya ki gaaw ke liye Priya ke papa ke diye
hue address ki madad se ghar me usne bataya ki 1 ya 2 hafte ke liye ghumne ke
liye kahi baahar jaa raha hai Mr Sharma ne bhi unki baat maan liya unhone
socha ki abhi abhi exams khatam hua hai aur Sameer ka study bhi complete ho
gaya hai kuch din baad usse job karna hai to yahi mauka hai kahi ghum kar
mood fresh karne ka unhe iss baat se koi aapati nahi tha aur naahi Sameer ki
maa ko bhi Sameer ne iss baare me Shruti se kuch baat nahi kiya tha Sameer ne
socha ki 1 ya 2 hafte ka hi to kaam hai aise me bataana jaroori nahi hai kareeb 5
ya 6 ghante ki bike ki safar ke baad Sameer Priya ki gaanw me pahunch gaya
jab usne Priya ki gaanw me kadam rakha to apne aap hi uske chehre par ek kutil
muskaan aa gaya usne bike rok kar aas paas ke mahaul ko dekha gaanw
dekhne me naahi bohat bikashit(developed) thaa aur naahi jyaada abikashit
gaanw dekhne me thik thaak tha gaanw ki log middle aur low class family se
belong karte the bas ek ya do hi honge jo upper class se belong karte ho gaanw
me hariyaali charo taraf tha pollution shehar ki tulna me bohat hi kam tha
Sameer gaanw me aakar khud ko ekdam fresh mehsoos karne laga thodi der
usne gaanw me ghumne ka socha ghumte ghumte uske dimaag me ek baat
aaya
Sameer:- (in his mind) kya maj jo kar raha hun wo sahi kar raha hun kahi main ye
sab karke kisi ki life barbaad to nahi kar raha yaa fir main koi galti to nahi kar
raha kya mujhe Priya ko maf kar dena chaahiye issi baat ko soch kar Sameer
idhar udhar tehelne laga iss sawaal ki jawaab ko dhundne laga aur bohat jald hi
usse jawaab mil gaya aur khud se hi kehne laga
Sameer:- nahi main Priya ko maaf nahi karunga usne maafi laayak kaam nahi
kiya hai uski wajah se Rajesh ki jaan jaa sakti thi aur kayi aur jaan ko gam me
jeena padta kya hota Rajesh ki parents ka jab wo budhaape me apne jawaan
bete ko kho dete kisi ki ego ki wajah se kitni baar samjhaya Priya tujhe please
hamse dur reh hame jyaada ukshaane ki koshish mat kar kuch karne ke liye lekin
tu nahi maani bohat kar liya apni manmaani aur har baar maine tujhe samjhaaya
lekin laato ka bhoot baato se nahi maante teri har galti ko maaf kiya yaa fir badla
lene ka iccha hote hue bhi nahi liya socha sab kuch thik ho jaayega lekin kuch
thik nahi hua ulta aur bigadta gaya aaj tujhe chhod diya to pata nahi kal kahi tu
Shruti aur mujhe bhi nukshaan pahuchaane ka koshish na kar le tune mujhe
majboor kar hi diya Priya ye sab karne ke liye main kabhi nahi chaahta tha ye
sab karne ko lekin aaj majboor hun pehle tera shaadi jo tere marji ke khilaaf hoga
usse apni aankho se dekhunga fir yaha se ek sukoon ke saath jaaunga majaa
ayega tujhe jindagi bhar ki dard aur aansu dene me agar wo Karan aa gaya to
bhi tujhe bacha nahi paayega tere baap ko bohat bhadka dunga aur wo aadani
se bhadak bhi jaayega pehle tera khel khatam karta hun uske baad Karan ka itna
sab kehne ke baad Sameer ki aankho me nafrat aa gaya usne tay kar liya ki yahi
uska aakhiri faisla hoga aur wo apni faisle se kabhi piche nahi hatega aur saath
hi Priya ki barbaadi dekh kar hi jaayega iske baad Sameer gaaw ki ek dhaabe
me chala gaya aur kaha
Sameer:- bhaiya isa gaanw me mujhe kuch kaam hai 1 ya 2 hafta theharna pad
sakta hai kiraaye me ek room milega paisa ki chinta mat karo har din ka 500
dunga Sameer ne ek aasha ke saath kaha wo gaanw ke kone me tha waha room
mil jaata to koi pareshaani nahi hone waala tha agar gaanw ke bich me hota to
shaayad Priya usse dekh sakti thi dhaabe wala ne jab ye suna wo ekdam se
khush ho gaya har din ka 500 uske liye badi baat tha aise me 1 ya 2 hafte tak wo
bohat kama sakta tha khushi ke saath wo bola
Dhaabe wala:- han bhai ek kamra to hai par shaayad wo aapke haisiyat aur
paisa ke hisaab se utna accha na ho dhaabe waala ne last ki line me kuch chinta
thi lekin Sameer ki jawaab ne usse khush kar diya
Sameer:- koi baat nahi bhaiya bas ek bed aur thoda saaf suthra room chaahiye
aur khaane ki acchi subidha
Dhaabe waala:- ho jaayega kab se rahenge aur agar buraa nahi maanenge to ek
baat pucchna chaahta tha aap kis kaam se aaye hai ?
Sameer:- abhi se rahunga aur kaam koi khaas nahi hai aur aap ki samajh se
baahar hai bas rehne ke liye jagah nahi hai iss liye yaha pucchne aaya tha
Sameer thoda chhidh gaya tha dhaabe waale ki sawal se
Dhaabe wala:- koi baat nahi bhai agar nahi chaahte to mat bataaiye chaliye
aapko room dikhaa deta hun iske baad Sameer ko dhaabe waala Sameer ko
room dikha deta hai room thoda chota tha lekin ek insaan ke liye kafi tha facility
ke naam me koi saaman nahi tha par fir bhi Sameer ne manage karne ka aur
apne kaam par dhyan dene ka socha room dekh lene ke baad Sameer ne
dhaabe waala se Priya ki papa ke baare me puccha
Dhaabe wala:- aapko kya kaam hai bhai usse? dhaabe wala ne nafrat se jawaab
diya
Sameer:- kuch khaas nahi jab wo shehar aaye the tab mujhse kuch paisa udhaar
liya tha jo abhi tak unhone nahi lautaya iss liye puch raha hun
Dhaabe wala:- wo sharaabi aisa hi hai sabhi se udhaar leta hai par lautata nahi
hai abb gaanw me koi udhaar nahi deta to shehar jaane laga ek bar fir dhabe
waala ne nafrat se kaha aur Sameer ko Priya ki ghar ka address de diya Sameer
ne kuch nahi kaha bas dhabe waale ki baat se ye pata chal gaya ki Priya ki papa
ki gaanw me utna izzat nahi hai Sameer ne ek topi aur sunglass laga liya aur
chhote chhote daadhi shave kar liya taaki Priya usse aasani se nahi pehchaan
sake aur chala gaya Priya ki gaanw dekhne kuch der chalne ke baad Sameer
Priya ki gaanw ke saamne pahunch gaya jo gaanw ke bich me tha Priya ka ek
kaccha ghar tha jo mitti se bana tha ghar ka haalat dekh anuman lagaya jaa
sakta tha ki ghar ki aarthik sthiti kuch khaas accha nahi hai iske baad Sameer
waapas apne room me laut aaya aur aaram karne laga aur bohat jald thakaan ki
wajah se usse neend aa gaya lekin shaam me uska neend toot gaya fresh hokar
baithne ke baad uski kaan me ek aawaj aaya aawaj me ek dard mehsoos ho
raha tha aur aisa lag raha tha wo insaan andar se ghutan si mehsoos kar raha
hai Sameer ne jab khidki se baahar dekha to paaya ki wo Priya hai Priya ki
murjhaaye chehra dekh Sameer ki chehre me thoda muskaan aa gaya Priya
apne saheliyon ke saath gaanw me chal rahi thi shaayad wo sabhi gaanw me
ghumte ghumte waha tak pahunch gayi thi Priya ki saheli usse baat kiye jaa rahi
thi lekin Priya ekdam khaamosh thi ye dekh kar Sameer ki chehre me apna jeet
ki khushi aa gaya Sameer abhi bhi Priya ki saheli aur Priya ki baat sun raha tha
Priya apne 3 saheli ke saath ghum rahi thi
Saheli 1:- Priya tu itni chup kyu hai pehle to kitna bolti thi abb ekdam se chup ho
gayi hai kya baat hai shehar me jaake tujhme aisa kaun sa badlaaw aa gaya hai
jo hamse baat bhi nahi kar rahi hai abb ye baat sun kar Priya kuch bolne hi wali
thi ki saheli 2 bich me hi bol deti hai
Saheli 2:- abb ye shehar me jaakar padh likh kar aayi ladki ham jaise gawar se
kyu baat karegi kaha inka haisiyat aur kaha hamara ye baat sun kar Priya ko
bohat buraa laga lekin firse wo kuch bolti uski teesri saheli ne kaha
Saheli 3:- arre nahi nahi ye baat nahi hai bechaari ka college me koi boyfriend
hoga jisse na mil paane ki wajah se ye udaas hogi teeno saheli ne to hasi
majaak me ye sab keh diya lekin unhe kya pata tha ki unka ye majaak Priya ko
kitna taklif pahuncha raha hai jab bardaast ke baahar hua ye baatein tab Priya
ekdam gusse se boli
Priya:- band karo tum sab apni bakwaas tab se jo mann me aaye wohi boli jaa
rahi ho ye bhi nahi dikh raha hai ki saamne waala kya feel kar raha hai aur tum
logo ki baato se usse kitna taklif pahunch rahi hai itna kehkar Priya chup ho gayi
Priya ki aawaj me gussa aur bohat saara dard tha Priya ki baatein sun uski sabhi
saheli wohi ruk gayi aur ekdam shaant ho gayi sabhi ko pata chal gaya ki koi to
baat hai jis wajah se Priya itna dard me hai
Saheli 1:- sorry Priya ham to bas majaak kar rahe the itna keh kar wo chup ho
gayi Priya ne bhi kuch nahi bola
Saheli 2:- kya baat hai Priya kabhi tujhe itna dukhi nahi dekha please yaar bata
kya baat hai lagta hai jarur kuch hua hai Priya fir bhi chup rahi wo itna dukhi thi ki
kuch bhi bola nahi jaa raha tha usse abb dhire dhire uski aankho se aansu behne
lage Priya ko rota dekh uski sabhi saheliyan dar gayi bohat samjhaane aur
support ke baad aur jor dene ke baad Priya rote hue boli
Priya:- papa ne meri shaadi tay kar diya hai Priya ne rote hue kaha Priya ki iss
baat se kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki isme aakhir rone ki kya baat
hai shaadi ke pehle aisa rona normal baat to hai nahi lekin kisi ko kya pata tha
iss wakt Priya ke dil me kya baat hai
Saheli 3:- iss me rone ki kya baat hai teri umar ho gayi hai shaadi ki aur tune to
shehar jaakar apni padhaai bhi khatam kar liya aakhir kisi na kisi din shaadi to
karni hi hai usne bas itna hi kaha tha ki Priya uss par bhadak gayi aur gusse se
boli
Priya:- bas kar apni bakwaas aur apna gyaan apne paas hi rakh tab se tum logo
ki bakwaas sun rahi hun bina kuch soche samjhe bak bak kar rahi ho main Karan
se pyaar karti hun aur ussi se shaadi karna chaahti hun papa meri shaadi
jabbardasti karwa rahe hai aur main iss shaadi se khush nahi hun suru me to
Priya ne gusse me kaha lekin last ki kuch lines rote hue apni baat khatam karne
ke baad Priya wahi niche baith kar jor jor se rone lagi uska dard ab uski
saheliyon ne samjha uski dard sabhi mehsoos kar rahe the kuch der sabhi ne
Priya ko rone diya jab wo roo kar shaant hui tab firse uski saheli ne kaha
Saheli 1:- to fir apne papa ko samjha yaa fir maa ko aise rone se kuch nahi hone
waala jab tu unse baat karegi tabhi to baat banega
Priya:- tujhe kya lagta hai maine koshish nahi kiya hai jab 2 din pehle papa ke
saath yaha aayi thi tabhi maine keh diya apne aur Karan ke baare me ye bhi
kaha ki main Karan ke saath shaadi karna chaahti hun lekin unhone saaf mana
kar diya aur kaha ki unhone ek ladka dhund liya hai aur mujhe ussi se shaadi
karna hoga maa ko bhi samjhaaya maa to maan gayi aur papa se baat bhi kiya
unhone lekin papa nahi maane aur kaha ki agar maine unki pasand se shaadi
nahi kiya to wo jehar khaa lenge aur unhone unn logo se bohat karz liya hai aur
ussi ko chukaane ke liye mera shaadi karwa rahe hain main aur maa majbur hain
Priya ne firse rote hue kaha
Saheli 2:- tab to ek hi raasta hai tu uss ladka se baat karle agar nahi maana to
ham usse baat kar lenge aur bhaga denge usse yaha se usne Priya ko
samjhaate hue kaha aur maahaul ko bhi accha karne ke liye hanste hue kaha
lekin uski hansi ko Priya ki agli hi baat se gaayab ho gaya
Priya:- jaante ho wo kaun hai Pratap
Saheli 2:- kaun Pratap kahi wohi Pratap to nahi
Priya:- han wohi Pratap gaanw ka sabse awaara ladka jo mujhse ek saal senior
bhi hai college me bhi wo dono Pratap aur Ramesh aise hi awaaragardi karte the
pehle se bohat bigad chuka hai kal maine usse baat kiya tha lekin wo nahi maan
kaha ki har haal me mujhse shaadi karega abb kya karu majboori ho gayi hai
mere liye ye shaadi karna sab papa aur unki sharab ki aadat se ye sab hua hai
wo to bachpan se mujhe pasand nahi karte the jo bhi hun maa ki wajah se hun
papa har haal me mera shaadi karwa kar rahenge naahi jee paa rahi hun aur
naahi mar sakti hun ye sab kehte hue fir se Priya ki aankho me aansu aa gaye
usli dard bas wo uski maa aur uski saheliya hi samajh rahe the abb uski
saheliyan bhi chaah kar kuch nahi kar pa rahi thi bas bhagwaan se dua kar rahe
the ki ye shaadi naa ho aise hi kuch der tak Priya roti rahi saari bat yaad karke
aur apna future ke baare me soch kar uski saheliyon ne usse kissi tarah samjha
kar waha se le gayi unke jaane ke baad Sameer soch me pad gaya Priya ko rote
delh ek pal ke liye to Sameer pighal gaya tha lekin agle hi pal usne apnibdil ko
majboot bana liya aur apne faislaa par tike rehne ka faisla kiya unke jaane ke
baad Sameer ne khud se kaha
Sameer:- dekha Priya bhagwaan sab dekhta hai tumhe tumhaara paap ka saza
mil raha hai ek din tumne rajeah ki life se khelne ka koshish kiya tha lekin aaj
Pratap ki haatho me hai tumhaari life aaj tum jo iss tarah se roo rahi thi iski wajah
bhi tum khud hi ho naa tum Rajesh ke saath ye sab karti aur naa mujhe aisa
kuch karna padta yaad hai ek din maine tumhe issi Pratap aur Ramesh ki
ragging se bachaya tha aur unse dushmani kar liya tha ye jaante hue bhi ki tum
meri dost nahi ho insaaniyat ki khaatir tumhaara saath diya lekin aaj kuch aisa
haal hai ki mujhe khusi ho raha hai tumhaara aur Pratap ki shaadi ki baat sunkar
ek sukoon mil raha hai Pratap jaisa pati paakar tumhaara life acche se barbaad
ho jayega wo bhi tumhaari papa jaisa hi banega baad me jaakar aur saari jindagi
tumhe apne kiye aur kismat par rona padega itna keh kar Sameer chup ho gaya
usse yakin ho gaya ki uska plan kaamyaab ho gaya aur issi ke saath uske
chehre par ek muskaan aaya jo uski jeet ka gawaahi de raha tha
After 2 months
Sameer ne jitna socha tha uss se bhi bohat zyada wakt laga iss shaadi me usne
socha tha shaadi 1 ya 2 hafte me ho jaayega lekin shaadi aaj raat ko hone waala
tha 2 mahine ke baad 2 mahine kitna mushkil se bitaa wo to bas Sameer hi
jaanta tha jab se wo yaha gaaw me aaya tha tabse usne ek baar bhi ghar me
baat nahi kiya tha network problem ko wajah se usne socha ki waapas ghar
jaakar hi baat karega apne maa aur papa se lekin usse kya pata tha ki uske
parents usse na paakar kitna pareshaan hai 2 hafte tak to unhe kisi baar ka koi
fikar nahi tha uske baad unhone socha ki bohat jald laut aayega kisi wajah se aa
nahi paaya hoga lekin dekhte dekhte 2 mahina pura hogaya par Sameer nahi
aaya police complaint bhi karwa diya gaya tha Sameer ko dhundne ke liye Mr
Sharma ne lekin koi faaida nahi hua Sameer kisi ko bina bataaye gaya tha Priya
ke gaaw har beet te din ke saath Mrs Sharma ki chinta aur fikar Sameer ke liye
badhta hi jaa raha tha ek dar bhi lag raha tha ki Sameer kaha hoga aur kis haal
me hoga unka haalat bhi waisa hi ho gaya tha jaisa ek aam maa ka haalat hota
hai apne bacho se iss tarah dur hone par Mr Sharma ne unhe sambhaalne ki
bohat koshish kiya hamesha unhe yakin dilaane ki nakaam koshish karte ki
bohat jald Sameer laut aayega lekin maa ka dil aisi baaton se kaha maanta hai
sach baat to ye tha ki Mr Sharma bhi bohat dar gaye the Sameer ki iss tarah se
laapata ho jaane ss unhe bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki Sameer kab
aayega aue kaha hai bas khud ko kisi tarah se sambhaal kar majboot hone ki
dikhaawa kar rahe the Mrs Sharma ko sambhaalne ke liye do mahine beet jaane
ke baad aur Sameer ki abhi tak nahi laut aane ki wajah se Mrs Sharma ki haalat
kaafi kharaab ho gaya tha aisa lag raha tha wo bas jinda hai lekin unme jaan hi
nahi bacha hai abb bas Sameer ki yaad me roti rehti hai aur uski laut aane ki dua
maangte rehti hai Mr Sharma ki haalat bhi bohat kharab ho gaya tha apne bete ki
laapata hona aur biwi ki aisi haalat unse bhi bardaast nahi ho raha tha wo bhi
bas yahi dua kar rahe the ki Sameer jaha kahi bhi ho bas haldi laut aaye aur sab
kuch pehle ki tarah thik ho jaaye lekin unhe kya pata tha ki Sameer unke liye ek
shocking surprise saath me laane waala hai Sameer ki laapata hone se Shruti ko
bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya wajah ho sakta hai Sameer ki aisi
laapata hone ki wo bhi yahi dua kar rahi thi ki Sameer jaldi se laut aaye inn sabhi
baato se anjaan Sameer vyast tha apne badle me usse bilkul bhi andaaza nahi
tha ki uski iss tarah se laapata ho jaane se uski parents par kya beet rahi hogi wo
to bas yahi soch raha tha ki uske parents uska intejaar kar rahe honge lekin
jyaada chintit nahi honge Sameer Priya se badle lene ke liye itna andha ho gaya
tha ki wo bas Priya ki chehre me dard aur aankho me aansu dekhna chaahta tha
din me kabhi kabhi Priya ka rota hua chehra dekh leta issi se uska din ban jaata
uska daily routine hi yahi bangaya tha subah uthna naashta karna lunch karna
Priya ka rota hua chehra dekh khud khush hona dopahar ka naasta karna aur
raat me dinner ke baad Priya ka rota hua chehra ko yaad karke khush hokar soo
jaana iske alawa wo bas intejaar karta tha ki jaldi se Priya ki shaadi ho jaaye aaj
bohat intejaar karne ke baad wo din aa hi gaya sabse jyada intejaar shaayad
Sameer ne hi kiya tha iss din ka Priya ki shaadi me hone waale har ek function
me Sameer kuch der ke liye mehmaano ki tarah jaata aur Priya ka dard bhara
chehra dekh waapas laut aata uska kismat bhi accha tha ki kisi ne usko nahi
pehchaana aaj shaadi ka din tha Sameer bhi mehmaano ke bich pahunch gaya
uss room ke baahar jiske andar Priya taiyaar ho rahi thi kuch din pehle Divya bhi
aayi thi Priya ki shaadi me wo bhi Priya ki shaadi se khush nahi thi lein wo bhi
kuch kar nahi paa rahi thi siwa Priya ki dard baantne ki abhi shaadi ke liye kuch
wakt baaki tha Priya ke room me Priya taiyaar ho chuki thi uske room me uski
maa aur Divya hi bache the aur sab baahar chale gaye the Sameer bhi Priya ki
dard me kaha hua aakhiri baatein sunne aaya tha aur gate se baahar chhip kar
sun raha tha andar room me Priya ki aankho me aansu the aur saath me uski
maa aur Divya ka bhi kuch der chup rehne ke baad Priya rote hue boli
Priya:- maa mujhe ye shaadi nahi karni please ek baar papa ko samjhaaiye ne
Priya ki aawaj se uska dard ka pata chal raha tha
Priya’s mom:- main kya kar sakti hun bohat samjhaaya maine uss sharabi ko
lekin daru ki lat ne usse aisa janwar bana diya hai ki koi bhi baat nahi sunna
chaahta yaha tak ki apni beti ki jindagi bhi daaw me laga diya hai kuch virodh
karo to jeher khaane ki dhamki deta hai aur ganw waalo ko bhi bataane ki baat
kar raha tha ki uske maut ka zimmedaar ham hai gaanw waalo bhi unka hi baat
ka yakin karenge aur hamaara jeena bhi mushkil kar denge Priya ki maa ki awaaj
me bebasi aur apne pati ke liye nafrat tha Sameer bhi soch me pad gaya Priya ki
papa ke baare me soch kar ki kaisa insaan hai ye jo iskafamily bhi issko respect
nahi karta hai lekin Sameer ne iss baat se apna dhyaan hataakar aage ki baat
sunne laga
Priya:- to maa meri life aisi hi barbaad ho jaayega inn sharabiyo ki wajah se kya
mujhe bhi jindagi bhar inke saath hi ghut ghut kar jeena hoga kya main Karan ke
saath kabhi chhain se jee nahi paaungi Priya ne rote hue firse kaha abb uski bhi
aasha khatam ho gaya tha sab kuch thik hone ka
Priya’s mom:- kar bhi kya sakti hun main meri jindagi bhi teri papa ki wajah se
kharab ho gayi thi bohat mushkil ke saath jiya hai maine uske saath kabhi bhi
khush nahi hun main jabse meri shaadi usse hua meri jindagi ekdam narak ho
gaya hai jab tu paidaa hui tab maine socha ki tujhe aisi jindagi jeene nahi dungi
issi liye tujhe bohat mushkil se padhaaya likhaaya taaki tu apne pairo par khadi
ho jaaye sab kuch acche se ho raha tha tera padhayi bhi acche se jaa raha tha
aur tu bhi apni life me khush thi aur tujhe khush dekh main bhi khush thi achanak
se ye sab ho gaya tera papa hi teri jindagi ka dushman ban gaya aur meri jindagi
bhar ka mehnat barbaad ho gaya Priya ki maa ne firse bebasi ke saath kaha unki
baat sunn kar Sameer bhi soch me pad gaya firse ki kya wo jo kar raha hai wo
sahi hai uski ye galti ek maa ki pyaar mehnat aur balidaan ke saath anyaay ho
jaata Sameer ye sab soch hi raha tha ki kisi ne galti se Sameer ko dhakka de
diya Sameer ladhkhadaate hue aage jameen me giraa kismat ya badkismati se
Priya ka room ka darwaaja thoda khula hua tha Sameer jaldi se utth picche
khada ho gaya lekin aaj uska bad luck tha ki Divya ne usse dekh liya aur
pehchaan bhi liya Sameer ko dekhte hi Divya ki dimaag me hazaaron sawaal
aane lage aur usse ek bohat bada saazish ki shanka hone laga uske dimaag me
ye baat aaya ki Sameer yaha kya kar raha hai uska iss gaanw se koi bi
connection nahi hai fir wo yaha kyu aur kaise? Sameer ko iss tarah se Priya ke
ghar me dekhne ke baad Divya ke dimaag me hazaaron sawal aa rahe the usse
lagne laga ki Priya ki iss tarah achaanak shaadi me shaayad Sameer ne hi koi
gadbadi kiya hai usne aur der na karke Sameer se baat karne ka socha lekin wo
Priya ke saamne Sameer se koi baat kar bhi nahi sakti thi usne jaldi se Priya ki
maa ke kaan me kuch kaha Priya wo dekh nahi paayi Priya ki maa ke kaan me
kuch kehne ke baad Divya ne Priya ko kuch der me aane ka bol kar Priya ki maa
ke saath dusre room me chali gayi Sameer ne socha abb uska kaam ho gaya aur
abb raat me Priya ki shaadi ho jaayega uske baad Sameer waapas apne room ki
taraf jaane laga ki piche se Divya ki aawaj ne usse rok diya
Divya:- itni jaldi kaha jaa rahe ho Sameer shaadi me aaye ho thoda chaai
naashta to karte jao Divya ki baat sun kar Sameer ko hairaani hua ki Divya ne
usse kaise dekh liya aur kaise pehchaan liya wo naahi aage badh paaya aur
naahi picche ghum kar kuch bol paaya bas apne jagah par khada raha
Divya:- tum hi se keh rahi hun Sameer abb aise hi khada rehna band karo aur
mere picche aao kuch baat karni hai tumse Divya ne Sameer ke saamne aakar
kaha Sameer ko to abb kuch bhi samajh me nahi aaa raha tha ki kya kahe wo
abb bhi kuch bol nahi paa raha tha bas khud ko taiyaar kar raha tha Divya ki
aane waale sawaalo ke liye
Divya:- yaha baat karna thik nahi hai chalo ek room me chalte hai mere picche
aao itna keh kar Divya aage badh gayi ek pal ko to Sameer ko laga ki yaha se
bhaag jaaye lekin agle hi pal uske dimaag me aaya ki wo itna darpok to nahi hai
jo aisi chhoti chhoti mushibaton se bhaagta rahe usne socha galti mera nahi
Priya ka hai jo usne kiya main to bas ussi galti ka saza de raha hun usse aur
main bina galti ke kyu bhaagne ki soch raha hun dekhta hun kya sawaal pucchti
hai ye Divya iski sawaalon se ya iski emotional baato se main apna iraada nahi
badalne waala jo soch liya hai wo pura karke hi rahunga Priya ki barbaadi hi
mera makshad hai iss gaanw me aane ka aur wo aaj pura ho hi jaayega itna
soch kar Sameer ne khud ko taiyaar kar liya khud ko aur chala gaya uss kamre
me jaha par Divya kuch der pehle gayi thi Sameer bhi bina dare chala gaya
kamre me lekin usne jaise hi uss kamre me kadam rakha usska himmat fir se
gaayab ho gaya saamne bed par baithi Priya ki maa ka udaas chehra dekh kar
room me bas Sameer Divya aur Priya ki maa the kuch pal ki khaamoshi ko tod
kar Divya boli
Divya:- to Sameer kya kar rahe ho tum yaha hamaare gaanw me aur iss shaadi
me Divya ki sawaal me hairaani aur gussa dono tha
Sameer:- aise hi ghumne ke liye kal ghar se nikla tha galti se iss gaaw me aa
gaya agar pata hota ki ye Priya ka manhoos gaaw hai to kadam rakhne se pehle
hi waapas chala jaata Sameer ne baat sambhaalne ke liye kaha lekin uski baat
aur aawaj dono se pata chal raha tha ki wo saaf jhuth bol raha hai Divya kuch
bolti uss se pehle hi Priya ki maa ne kaha
Priya’s mom:- jhuth bol raha hai ye ladka picchle kuch hafto se isse dekha hai
shaadi ki rashm par har ek rashm me aata hai aur kuch der ke baad chala jaata
hai maine to socha ki kissi rishtedaar ka dost hai iss liye kuch nahi kaha aur
waise bhi apni beti ke liye itna chintit hun ki kuch bolne ka mann bhi nahi karta
waise ye Divya ye ladka kaun hai aur tumne mujhe yaha kyu laaya kuch der
baad Priya ki shaadi hai Priya ki maa ne udaas aur gussa bhari aawaj me kaha
Divya ne Priya ki maa ko shaant rehne ka ishaara karke Sameer se kaha
Divya:- abb kya safaayi doge Sameer Sameer aaj tumhaari haalat dekh sach me
hassi aa raha hai college me tum apna kitna shaan dikhaate the jaise ki tum
kabhi jhuth nahi bolte ho hamesha dosti nibhaate ho jo vachan diya hai usse
jarur puri karte ho apna rules aur regulations hamesha follow karte ho khud par
kitna ghamand tha tumhe lekin aaj aisa kya baat ho gaya jo kabhi jhuth nahi
bolne waala Sameer ko aaj jhuth bolna pad raha hai jo acche se bol bhi nahi paa
raha hai Divya ye baat acche se jaanti thi ki Sameer ko aasani se ukshaaya jaa
sakta hai koi aisi baat keh do jisse sun kar Sameer hurt ho jaata hai to Sameer
acche se kuch bhi soch aur samajh nahi paata hai aur khud par kaboo kho deta
hai issi wajah se Sameer aur Priya ki bich nafrat ka suruwaat hua tha Divya ne jo
tir andhera me chlayaa tha wo jaake sidha nishaane par laga hua bhi aisa hi
Sameer ne khud par kaboo kho diya wo to pehle hi sabkuch batane ke liye
kamre me aaya tha lekin Priya ki maa ki wajah se chup ho gaya tha lekin abb
usse bardaast nahi ho raha tha Divya ki batein usne bhi apna sabr kho hi diya
aur kaha
Sameer:- han aaya hun main iss gaaw me apne kaam ko anjaam dene Priya se
apna badla lene usse sabak sikhaane ki kabhi dusro ko iss hadd tak pareshaan
nahi karna chaahiye ki saamne waala bardaast na kar paaye Priya ki abhi jo
shaadi ho rahi hai wo mera planning ki wajah se ho raha hai maine hi uske baap
ko bhadkaaya tha uski khilaaf aur paise ka laalach diya tha aaj mera badla pura
ho jaayega jab Priya ki shaadi ho jaayega uski shaadi Pratap se ho raha hai ye
baat main acche se jaanta hun aur yakin karo usse bura husband shaayad hi
Priya ko mile jindagi bhar royegi apni kismat aur apni karmo par Sameer ne
behadd nafrat ke saath kaha ye sab kehne ke baad Sameer ke chehre me gussa
aa gaya tha ek najar usne Divya aur Priya ki maa par daala dono hi khaamosh
aur shocked the bohat der se chup baithi Priya ki maa abb chup nahi reh saki
aankho me aanshu ke saath ek dard bhari aawaj me unhone kaha
Priya’s mom:- kyu beta kyu kiya tumne aisa kya mila tumhe Priya ki jindagi
barbaad karke aur kya galti tha meri bacchi ka jo aise sajaa diya tumne tumne
accha nahi kiya Priya ke papa ka iss tarah faaida utha kar meri majboor beti ke
saath ye sab karke tumne to uski jindagi barbaad kar diya uske saath ye sab
karke dekhna ek din bhagwaan tumhe tumhaara iss gunaah ka sazaa jarur dega
ek masoom ladki ki jindagi barbaad karne ka isse jyaada bol nahi paayi Priya ki
maa itna bol kar wo apni chehre ko haath me chupa kar rone lagi Divya ne unhe
jaldi se sambhaala aur gusse me Sameer se kaha
Divya:- socha nahi tha Sameer tum itna niche gir sakte ho college me hui chhoti
moti ladaayi ko apna ego me le liya aur uss chhoti si ladaayi ka badla tum iss
tarah se le sakte ho tum hamaare dost nahi the college me lekin kabhi nahi laga
ki tum itna buraa insaan ho jaise bhi the tum mujhe to hamesha laga ki tum
accha insaan ho lekin aaj pata chala kitna galat thi main Priya tumse ladti thi to
tum bhi to waise hi the galti tum dono ka tha Priya ne to baad me tumhe ignore
bhi kar diya tha aur sab kuch bhul gayi thi lekin tum nahi bhul paaye aur aaj
tumne apna badla ke liye jo harkat kiya hai usse saabit ho gaya ki tum bhi ek
ghatiya aur egoist insaan ho itna keh kar Divya ne nafrat se apna mouh fer liya
lekin ye baat Sameer ko bilkul pasand nahi aaya ek to wo pehle se gussa tha aur
upar se Divya ki baat ne uska gusaa aur badha diya gusse se chilla kar bola wo
Sameer:- band karo apna bakwaas kya kaha tumne maine ye sab ego aur badla
ke liye kiya badla to tumhaari wo dost Priya le rahi thi mera kuch nahi bigaad
paayi to Rajesh ka accident karwa diya maine to usse ignore kar diya tha aur
apni life se hi matlab rakhne laga tha lekin Priya aur Karan ki uss harkat ne
mujhe aaj jo main kar raha hun wo karne par majboor kar diya Priya se to apna
badla le hi chuka hun ab Karan ki baari usski to wo haalat karunga ki wo soch bhi
nahi sakta agar tum bhi iss game me shaamil ho to tumhaara bhi khair nahi
Sameer ne behad nafrat se kaha
Divya:- ye kya keh rahe ho tum mukhe pata hai Rajesh ka accident hua tha 2
mahine pehle lekin iss accident me Priya aur Karan ne kya kiya Priya ne hairaani
me Sameer se puccha
Sameer:- tumhe nahi pata Priya ne kya kiya? Sameer ne gusse se Divya ko dekh
kar kaha aur jawaab me Divya ne naa me sar hilaa diya uske baad Sameer ne
sab kuch bata diya Divya aur Priya ki maa ko jo Shruti ne usse bataya tha
Sameer:- to abb bolo main kaha galat hun usne Rajesh ko maarne ki koshish
kiya hai egoist main nahi wo hai hamaari duahmani ko ham tak hi nahi rakh kar
Rajesh ko bhi hamaare dushmani ka shikaar banaya socho agar Rajesh ko kuch
ho jaata to uski bachpana me ek family hi barbaad ho jaata main jo kar raha hun
uske saamne bohat hi chhoti si baat hai aur main usse sabak sikhaa kar hi
rahunga ek kadam picche nahi hatunga Sameer ki aawaj me Priya ke liye gusaa
aur nafrat lagataar badhte jaa raha tha Sameer ki baat sun kar Divya aur Priya ki
maa ko vishwaas hi nahi ho raha tha ki Sameer sahi keh raha hai Divya ko laga
ki Sameer ko bohat badi galatfehmi ho gaya hai
Divya:- nahi Sameer tum jo soch rahe ho wo tumhaara galatfehmi hai main Priya
ko bachpan se jaanti hun ham dono issi gaaw ke hai bachpan se hi jaanti hun
usse wo aisi galat kam kar nahi sakti aur naahi aisi kaam me kisi ka saath de
sakti hai exam khatam hone ke din se hi Priya meri flat me thi kabhi baahar tak
nahi nikli bas Karan se phone par baat kar leti thi kabhi kabhi mera yakin karo
usne kabhi aisi ghatiya plan ke baare me nahi socha
Sameer:- nahi main yakin nahi kar sakta tum par tum usse bachaane ke liye ye
sab keh rahi ho agar abhi yakin kar liya to pata nahi wo Priya aur Karan milkar
baad me kya kya nukshaan karegi hamaara Sameer ki baat se lag raha tha ki wo
kisi bhi kimat par Divya ki baat par yakin nahi karega Divya ko bhi ye baat
samajh me aa gaya aur achanak uske dimaag me ek plan aaya aur wo room se
baahar chali gayi Divya ki baahar jaate hi fir se Priya ki maa ne rote hue bhaari
swar me kaha
Priya’s mom:- beta Divya sahi keh rahi hai tumhe koi galatfehmi hua hai meri
Priya aisi nahi hai han wo ladayi jarur karti hai kisi se bhi par wo dil ki buri nahi
hai wo aisi galat kaam kabhi bhi nahi kar sakti maine paala hai usse acchi
parwarish diya hai usse Priya ki maa ne rote hue kaha unka rona Sameer ko bhi
bura lag raha tha usne bhi apna gussa shaant karke kaha
Sameer:- maine apki parwarish ke baare me kuch nahi kaha hai aunty aur naa hi
kuch kahunga ho sakta hai aapki parwarish sahi ho lekin Priya ne kuch nahi
sikha galat raaste me chal padi wo har maa baap ko lagta hai ki uska baccha
kabhi galat nahi ho sakta aapko bhi apne betibpar bharosha hai lekin hamesha
ye sach ho ye jaruri nahi hai main yakin ke saath keh sakta hun ki Priya aur
Karan ne mil kar hi ye sab kiya hai Sameer jaise hi chup hua tabhi Divya bhi
room me aa gayi aur apna mobile jaldi se Sameer ki taraf badhaate hue kaha
Divya:- ye lo Rajesh ka phone wohi tumhe sab kuch bataayega
Sameer hairaan hokar Divya ka phone leta hai wo soch raha tha ki iss gaaw me
to network problem hai fir kaise phone lag gaya yahi sab sochte hue Sameer ne
phone me Rajesh ka number dekha jab wo sure hua ki ye Rajesh ka hi number
hai tab usne phone ko apne kaan me laga kar Rajesh se baat kiya dusri taraf se
Rajesh ne jo kaha usse sunn kar Sameer ki pairo tale jameen khisak gaya aur
haath se mobile niche jameen me gir gaya jaise hi Sameer ne phone ko apne
kaan me laga kar bola
Sameer:- hello Sameer isse aage kuch kehta Rajesh ne uske baat ko bich me hi
kaat kar kaha
Rajesh:- tu waha kya kar raha hai Priya ke gaaw me sabko bina bataaye chala
gaya pata hai tere maa aur papa ka kya haal hai tere aise gaayab hone se kisi ko
bina bataaye chala gaya Rajesh ne bohat gusse me ye baat kaha wo aur bhi
bohat kuch kehna chaahta tha lekin Sameer ne uski baat ko bich me hi kaat kar
kaha
Sameer:- ghar me sab thik to hai na maine ghar me phonebkarne ki bohat
koshish kiya lekin network hi nahi aa raha Sameer ne thoda gabrahat me kaha
Rajesh ki baat sun kar usse dar lagne laga ki kahi ghar ka maahaul kharab na ho
Rajesh:- pehle ye bata tu waha Priya ki gaanw aur ghar me kyu gaya hai Rajesh
ne bohat gusse me Sameer se puccha Sameer ne socha ki Divya ne abhi Rajesh
ko sab kuch bata diya hai to jhuth bolne se koi faaida nahi hai usne Rajesh ko
sab sach bata diya ki kyu wo Priya ki gaanw aur ghar aaya hai
Rajesh:- accha ye bata tujhe kaise pata chala ki wo accident Priya aur Karan ne
karwaya hai
Sameer:- Shruti ne bataya tha aur mere paas ek casette bhi hai proof ki taur par
Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Rajesh ne dusri taraf se gusse me uski baat
kaat kar kaha
Rajesh:- Sameer kabhi socha nahi tha tu itna bada bewkoof ho sakta hai wo kisi
ne jhutti dubbed casette diya tha Shruti ko aur Shruti ne bhi yakin karke tujhe de
diya ek baar mujhse batana bhi jaruri nahi samjha tune mujhe pata hai kisne
mera accident kiya tha wo abhi jail me hai agar tu yaha rehta to tujhe sab pata
chal jaata lekin tu to kisi ko bina bataaye gaanw chala gaya aaj Divya se baat
karne ke baad pata chala ki tu waha par hai tune ek nahi do galtiya kiya hai Priya
ko bina uski kisi galti ki wo saza dene jaa raha hai aur dusra kisi ko nahi bataya
ki tu kaha jaa raha hai ek baar apna ghar aakar apni maa ka haalat dekh lena
samajh jaayega Rajesh ki baat Sameer ke liye kisi shock se kam nahi tha ek to
usse pata chala ki Priya ki Rajesh ki accident me koi galti nahi hai aur usne
jaldbaazi me kya kar diya hai aur dusra uski wajah se uski maa ka buraa haal hai
usse samajh me nahi aa raha tha ki kya bole lekin himmat karke usne pucch hi
liya
Sameer:- maa kaisi hai? Sameer ne darte hue puccha
Rajesh:- abhi tak to thik hai lekin kuch din aur gaayab raha to sure nahi hun aage
kya hoga Rajesh ne gusse me jawaab diya Sameer ko maa ki thik hone ki
khabar se thoda raahat mila lekin ye raahat bas kuch hi pal ke liye tha darte hue
usne dusra sawaal puccha
Sameer:- tu sach keh raha hai Priya ki koi galti nahi hai?
Rajesh:- ek to galti kiya hai tune aur usse sudhaarne ki jagah aur sharmindaa
hone ki jagah aisi bakwass sawal puch raha hai tujhe kya lagta hai main abhi
majaak karne ki mood me hun saaf saaf keh chuka hun Priya ki iss accident me
koi haath nahi tha aur naahi Karan ke jisne mera accident kiya tha wo abhi jail
me band hai agar meri baat ka vishwaas na ho to Shruti se hi pucch uski baat ka
to yakin karega na tujhse baat karne ka bhi mann nahi kar raha bas itna kahunga
ki tu mar gaya mere liye aaj se tera aur mera dosti khatam tu bas Shruti ki hi
dosti ke laayak hai agar abhi bhi sharm bacha hai tujhme jara sa bhi to apna galti
sudhaar kuch bhi kar lekin Priya ki life tabaaah hone se bacha le saara galti tera
hi hai teri ek galti ka saza bechaari Priya ko jindagi bhar sehna pad sakta hai
jindagi bhar afsos hoga tujhe apni aisi ghatiya harkat par mujhe nahi lagta ki abb
tu kuch kar paayega bohat jald Priya ki shaadi hone waali hai abb agar thodi bhi
sharm hai tujh me aur lagta hai tune galat kiya hai to Priya ki shaadi hone mat
dena ek baat aur sunn tu dusro ko judge karta rehta hai na ki ye ladka accha hai
wo ladka bura hai ye ladki acchi hai wo ladki buri hai aur mujhe Divya ke baare
me bata raha tha wo kaisi ladki hai baaki ke baare me to mujhe pata nahi par
main tujhe judge kar chuka hun abb tere baare me bhi bata deta hun tu naahi ek
accha beta hai naahi ek accha dost aur naahi ek accha insaan hai tu ekdam
ghatiua insaan hai ye baat to tujhe samajh me aa gaya hoga agar nahi aaya to
tune kya kiya hai ek baar acche se yaad kar thande dimag se pata chal jaayega
tujhe abb phone rakh aur aaj ke baad mujhse kabhi baat mat karna itna keh kar
Rajesh ne phone kaat diya aur khud se kehne laga
Rajesh:- sorry Sameer kabhi socha nahi tha tujhse aise baat karunga abhi bhi
karna nahi chaahta tha lekin majboor hun anjaane me tujhse bohat bada galti ho
gaya yaar agar jaldi se iss maamle ko sambhala nahi gaya to bohat badi
durghatna ghat jaayega yaar agar tere saath iss tarah se baat nahi karta to tu
baat samajhta hi nahi mujhe pata hai abb tujhe meri baat samajh me aa gaya
hoga aur apni galti ka ehsaas ho gaya hoga aur kissi tarah apni galti sudhaar
lega (Rajesh ne jo bhi kaha tha Sameer ko apne accident ke baare me wo sab
jhuth tha kisi tarah Sameer ko uska galti ka ehsaas karaane ke liye Rajesh ne ye
bola tha Divya ki baato se usse yakin ho gaya ki Priya ka iss accident se koi lena
dena nahi hai aise me Rajesh ko yahi idea sahi laga jaldbaazi me Sameer ko
samjhaane ke liye) Rajesh ki baat sun kar Sameer ko ek jordaar shock laga aur
haatho se mobile niche gir gaya kuch pal tak to wo ekdam shaant aur sidha
khada raha wo apni jagah se hill bhi nahi paa raha tha abb jaake usko apni galti
ka ehsaas hua aur samajh me aaya ki wo kya paap karne jaa raha tha kuch pal
wahi khade rehne ke baad darte hue usne Divya aur Priya ki maa ki taraf dekha
Divya Sameer ko gusse se ghuri jaa rahi thi to Priya ki maa dard aur gusse bhari
najar se Sameer ko dekhe jaa rahi thi Sameer unse ek pal bhi najar nahi mila
saka aur usne apni najar ghuma liya kuch der ki khaamoshi ko tod kar Divya ne
kaha
Divya:- abb kya kahoge Sameer? Divya ki baat me Sameer gussa saaf mehsoos
kar sakta tha
Sameer:- bohat bada paap ho gaya mujhse anjaane me Sameer ki aankho se do
bund aansu gira aur bhaari aawaj me usne Divya se keh diya
Divya:- anjaane me isse tum anjaane me kehte ho tumne jaan bujhkar kiya hai
Priya se tum itna nafrat karte the ki bina soche samjhe tumne ye sab kar diya ek
baar bhi nahi socha tumhaara ye ghatiya khel ka kya anhaam ho sakta hai agar
tumhe lagta tha Priya ne ye sab kiya hai to tum jaakar Priya se baat karte iss
baare me lekin tumne aisa nahi kiya apne mann me Priya ke liye ek aisi image
banaya jisse tumhe laga ki Priya har haal me galat hai sach me Sameer tum
jaisa ghatiya insaan aaj tak nahi dekha maine itna keh kar Priya chup ho gayi
Sameer sharm se sar bhi uthaa nahi paa raha tha upar se Divya ki ye baatein
Sameer ko aur chot pahuncha raha tha abb to Sameer ko bhi lagne laga ki kitna
ghatiya hai wo kuch der sharm se sar jhukaane ke baad himmat karke apna sar
uthaa kar Priya ki maa ki taraf dekha aur apna dono kaan pakad kar rote hue
bhaari aawaj me kaha
Sameer:- mujhe maaf kar dijiye aunty anjaane me ek bohat bada paap kar diya
Sameer ki iss baat par Priya ki maa ne aankho me aansu ke saath chehra dusri
taraf ghuma kar kaha
Priya’s mom:- mere maaf kar dene se kya hoga tumne to apna kaam kar diya
saza to meri masoom beti ko bhugatna padega accha dushmani nibhaaya hai
tumne abb pata nahi kya hoga meri beti kaa bina kisi galti ki itni badi saza usse
mil raha hai itna keh kar Priya ki maa chup ho gayi aur jo aansu ko unhone
aankho me thaam kar rakha tha abb aur tham nahi paaya aankho se lagataar
aansu ki boond girne lage aur wo jor jor se rone lagi Sameer ko ye sab dekh
khud se nafrat hone laga aur khud ko hajaar gaaliya dene laga usse dekha nahi
jaa raha tha kisi maa ko iss tarah rote hue dekhna aur iss aansu ki wajah bhi
wohi hai ye baat jaane ke baad Sameer khud se hi sharminda ho raha tha usse
samajh me nahi aa raha tha ki abb kya kare kaise apni iss bhool ko sudhaare
abb usse kuch samajh me nahi aa raha tha wo aur khada reh nahi paaya
achanak se niche gir gaya ek jinda laash jaisa ho gaya tha wo kuch der yunhi wo
niche jameen me baith rota raha bohat dino ke baad roya tha Sameer wo bhi
apni hi galti par kuch der rone ke baad Sameer ka dhyan achanak hi ghadi par
chala gaya shaam ke 5:00 pm baj rahe the shaadi ki taiyaari bohat jaldi shuru
hone waala tha achanak usse yaad aaya ki agar issi tarah rota raha to sab kuch
khatam ho jaayega aur wo kuch nahi kar paayega kuch der sochne ke baad uske
dimaag me ek idea aaya usse pura vishwaas to nahi tha ki uska ye idea kaam
karega ya nahi lekin ek koshish jarur karna chaahta tha dhire se wo utth khada
hua aur Divya se dhire se kaha
Sameer:- Divya please Priya ki papa ko bulaao?
Divya:- kyu? abb aur kya karna baaki reh gaya hai jo abb karne ka soch rahe ho?
Divya ki aawaj me har baar ki tarah iss baar bhi gussa tha lekin Sameer ne iss
baat ka parwaah na karte hue kaha
Sameer:- please baato me time waste mat karo jaldi se Priya ki papa ko bulaao
unse baat karke dekhta hun Sameer ki aawaj me bechaini tha
Divya:- unse baat karke kuch haasil nahi hone waala wo nahi maan ne waale hai
hamne bohat koshish kar liya par Divya abhi bohat kuch bolne waali thi lekin
Sameer ne usse bich me rok kar kaha
Sameer:- please time wastw mat karo aur mujh par yakin karo main sab kuch
thik kar dunga Sameer ka murjhaaye hue chehra me bhibek chamak aa gaya iss
baat ko kehte hue Divya ne bhi Sameer ki baat par jo confidence tha usse notice
kar liya aur uska umeed bhi badhne laga ki shaayad sab kuch thik ho jaaye abb
usne ek pal bhi waste kiye bina chali gayi Priya ki papa ko bulaane aur Priya ki
maa kabhi teji se jaa rahi Divya ko dekh rahi thi to kabhi Sameer ko ek aasha ke
saath ki sab kuch thik ho jaaye kuch hi der me Divya Priya ke papa ke saath aa
gayi aaj Priya ki papa ne sharab nahi piya tha jaise hi Priya ki papa room me
aaye wo Sameer ko dekh kar shocked ho gaye Priya’s dad:- tum yaha kya kar
rahe ho? Priya ki papa ne hairaani me kaha Sameer ko samajh me nahi aa raha
tha kya jawaab de wo kuch pal chup hi raha wo to itna sharminda ho gaya tha
khud se ki kuch bol bhi nahi paa raha tha
Priya’s dad:- tum Priya ki shaadi dekhne aaye ho ya mujhse koi kaam tha? Priya
ki papa ne firse hairaani me pucha lekin iss baar Sameer ne socha ki aise chup
rehne se kuch nahi hone wala thoda himmat me saath usne kaha
Sameer:- aap ye shaadi rukwa dijiye Priya ki papa ko yakin nahi hua jo Sameer
ne kaha Sameer ne hi unhe wo idea diya tha lekin aaj wo hi achanak iss tarah
unke hi ghar me aakar ekdam se shaadi rukwane ko keh raha hai ye baat par
unhe aur hairaani hua
Priya’s dad:- ye tum kya keh rahe ho?
Sameer:- sahi keh raha hun rok dijiye ye shaadi Sameer ne Priya ke papa ko
bich me rok kar bina koi bhaaw ke kaha
Priya’s dad:- nahi abb nahi rok sakta 5 lakh mile hai mujhe iss shaadi se aur
tumhe kya problem hai iss shadi se tum hote kaun ho mujhse ye sab kehne
waale Priya ki papa ki aawaj me iss baar gussa tha shaadi rukwa kar wo apna
nukshaan nahi karwana chahte the
Sameer:- aapke liye apni beti ki jindagi se jaruri paisa ho gaya aur aap 5 lakh me
apni beti ka shauda kar rahe hai kaise ghatiya insaan hai aap Sameer ki aawaj
me bhi gussa aa gaya tha Priya ki papa ki iss baat se wo ye bhi bhul gaya tha ki
wo kuch der pehle khud se sharminda tha aisa lag raha tha agar unhe nahi roka
gaya to kuch der baad yuddh suru ho sakta tha Divya aur Priya ki maa kabhi
Sameer ko to kabhi Priya ki papa ko dekh rahe the unhe kuch samajh me nahi
aa raha tha ki aage kya hone waala hai
Priya’s dad:- aye ladke chup jubaan sambhaal kar baat kar meri beti hai main jo
marzi karu tu hota kaun hai mujhe samjhaane waala aur waise bhi maine kabhi
Priya ko apna beti nahi maana 5 lakh mil rahe hai mujhe iss shauda se aur waise
bhi ye paisa kam hi hai usse paalne me padhaane me isse jyaada kharcha laga
hai Priya ki papa gussa aur nafrat me ye sab bol gaye lekin unhe nahi pata tha ki
paas khadi Priya ki maa unhe nafrat bhari nighaao se dekh rahi hai Sameer ne
jaise hi ye baat suna gusse me usne apna mutthi bheench liya aur gusse me tej
aawaj se bola
Sameer:- kaisa baap hai aap apni bacho ke baare me aisa soch bhi kaise sakte
ho aap jindagi me aap jaisa ghatiya insaan nahi dekha socha tha agar aapko
samjhaa diya to aap jarur maanenge lekin aap jaise ghatiya insaan ko
samjhaana to kya samjhaane ka sochna bhi bekaar hai Sameer ne bohat gusse
me kah
Priya’s dad:- abhi mujhe acchayi ki paath padha raha hai lekin bhul gaya wo tu hi
tha jisne mujhe ye sab karne ke liye kaha tha tab kaha gaya tha tera ye acchayi?
Priya ki papa ne nafrat aur gusse waala muskaan ke saath kaha
Sameer:- maine jo bhi kiya wo sab galatfehmi me kiya lekin abb apni galti
sudhaar raha hun aur aap mujhe dosh dena band kijiye Priya se mera koi rishta
nahi hai lekin aap baap hai uska apna aur paraaye me bohat antar hota hai
paraaye insaan dhokha de ya dusro ko takleef pahunchaaye ye koi nayi baat
nahi hai aaj kal chalta rehta hai ye sab lekin kam hi dekha jaata hai koi apno ko
dhokha de jaise aap aur mere najar me aap jaisa ghatiya insaan koi nahi hai
Sameer aur Priya ki papa dono ki aawaj lagataar badh rahe the Divya aur Priya
ki maa me se kisi ka bhi himmat nahi ho raha tha unhe rokne ka Sameer ki baat
se Priya ke papa ko gussa to bohat aaya lekin unhone bas itna hi kaha
Priya’s dad:- dekh ladke kuch der baad Priya ki shaadi hone waala hai main tujh
par haath utha kar koi hangama khada nahi karna chaahta ye shaadi kisi bhi
kimat me nahi rukne waala hai behtar yahi hai ki tu yaha se chup chaap nikal jaa
Priya ki papa Sameer ko gusse se dekhe jaa rahe the Sameer samajh gaya ki
Priya ke papa par paiso ki bhoot sawar hai unko kisi bhi haal me nahi samjhaaya
jaa sakta hai usse samajh me aa gaya abb usse lya karna chaahiye aur der nahi
karte hue Priya ki papa se puccha
Sameer:- aapko ye shaadi ke liye ladkewaale kitne paise de rahe hai?
Priya’s dad:- 5 lakh lekin tujhe iss se kya matlab? itna paisa tune jindagi bhar
nahi dekha hoga Priya ki papa ne Sameer ka majaak udaate hue kaha lekin
Sameer ne iss baat ko ignore karke kaha
Sameer:- ye shaadi rukwa dijiye main aapko 10 lakh dunga Sameer ko majboor
hokar ye bolna hi pada Sameer ki baat par Priya ki papa ko yakin nahi hua
unhone hairan ho kar puccha
Priya’s dad:- tu paagal hai kya kaisa baat kar raha hai 10 lakh tune apni jindagi
me kabhi dekha hai kya jo dene ki baat kar raha hai uss din to tu keh raha tha tu
bhi sharabi hai aur gareeb pariwar se hai
Sameer:- jhith kaha tha maine baato me wakt kharab mat kijiye aur shaadi karwa
dijiye cheque abhi mere paas nahi hai room me chhut gaya hai bohat jald 10 lakh
ka cheque aapko dunga Sameer Priya ki papa ke sath aur baat karna nahi
chaahta tha wo jaldi se saara maamla khatam karna chaahta tha
Priya’s dad:- lekin main kaise maan lu tu mujhe dhokha bhi to de sakta hai
Sameer:- ek baar fivya se ya fir Priya se puch lijiye kaun hun main 10 lakh mere
liye koi badi baat nahi hai lekin please aap apni bakwas band karke jaakar
ladkewaalo ko mana karenge Sameer ne frustrated hokar kaha Sameer ki baat
sun kar Priya ki papa ne ek najar Divya ki taraf dekha aur aankho se hi sawal
puccha ki kya Sameer sach keh raha hai Divya ne bhi haa me sar hilaaya issi
bich Priya ki papa ne pehli baar Priya ki ma ko dekha unhe kuch samajh me nahi
aaya ki kya react kare lekin agle hi pal unhone apni najar Priya ki maa se hata
kar Sameer ki taraf dekha aur gambeer aarwaj me kaha
Priya’s dad:- accha thik hai lekin ek samasya aur hai? Sameer ne Priya ki papa
ko ghoor kar dekha aur kaha
Sameer:- paisa mil jaayega ab aapko kya samasya lag raha hai
Priya’s dad:- lekin main ladke waalo ko kya keh kar mana karu?
Sameer:- aasan hai abb jaakar keh dijiye iss shaadi ke liye aap 5 lakh nahi 5
crore lenge wo log shaadi se jald hi inkaar kar denge agar kuch kaha panga hua
to aap bhi koi hangama khada kar dijiye iss kaam me to aap maahir hai Sameer
ne gusse me aur chhidhte hue jawaab diya
Priya’s dad:- accha thik hai lekin paisa jaldi se chaahiye mujhe Sameer ne abb
jaakar raahat ka saans liya abb usse aatmaglaani se mukti mil gaya tha aur ek
sukoon mila usse ki usne apni galti sudhaar liya hai aur Priya aur uski maa ki
najron se girne se bach gaya ek lambi saans lekar usne kaha
Sameer:- paise ke liye kuch bhi karne se piche nahi hat rahe paise hi aapke
khusi izzat aur sab kuch se bada hai bohat jald aapko pata chal jaayega kitna
galat hai aap marne ke baad aap ye paisa apne saath nahi le jaa payenge kabhi
jindagi ko acche se jine ki koshish kijiye tab aap ko pata chal jaayega jindagi
kitna hasin hai aur paise dhan daulat kuch bhi nahi hai iske saamne khair
chhodoye ye baat aap kabhi nahi samjhenge
itna keh kar Sameer ne Priya ki papa ki taraf dekha jo kuch nahi bol rahe the
unke chehre se aisa lag raha tha ki wo bohat khush hai 10 lakh milne ki khusi
unke chehre se saaf jhalak raha tha saath hi wo kuch baat soch rahe the Sameer
ne abb Priya ki maa ki taraf najar ghuma kar kaha Sameer:- aunty maine jo galti
kiya hai usse sudhaar liya hai aur maine aap sab ko itne din jo dukh diya uske
liye dil se maafi maangta hun nafrat aur galatfehmi ne mujhe ye sab karne par
majboor kar diya tha agar ho sake to please maaf kar dijiye ek aur request hai
aapse Priya se keh dijiye ki abb meri life me kabhi nahi aane ke liye aur kabhi
main dikh bhi gaya to wo mujhe ignore kare pehli baar Priya ki maa ko raahat
mila jis baat ka dar tha unhe aur wo parshaan thi wo abb thik ho chuka tha
unhone bhi sar ko haa me hilaa kar Sameer se kaha ki unhone Sameer ko maaf
kar diya hai Divya bhi bohat khush thi ki Priya ki jindagi barbaad hone se bach
gaya
Sameer:- accha to abb main chalta hun ek baar fir mafi maangta hun apni galti
par itna keh kar Sameer gate tak pahuncha hi tha ki Priya ki papa ki piche se aa
rahi aawaj ne usse rok diya
Priya’s dad:- ruko tum aise nahi jaa sakte ho Sameer ne gusse me picche mudaa
aur kaha
Sameer:- ghar se baahar jaa raha hun gaanw se nahi main apna vaada nibhaata
hun aapko jald hi 10 lakh mil jayenge
Priya’s dad:- 10 lakh to mujhe chaahiye hi aur saath me tumhe Priya se shaadi
bhi karna hoga Sameer ko to ye baat sunke jhatka laga
Sameer:- kya? Divya aur Priya ki maa bhi ye baat sunkar hairaan ho gaye the
Priya’s dad:- sahi suna tumne bhulo mat ye gaanw hai yaha izzat aur maan
maryada hi sab kuch hota hai agar Priya ki shaadi tut jaayega tab kaun uska
haath thaamega aur hamaara izzat ka kya hoga agar tum ye shaadi rukwaana
chaahte ho to tumhe ye shaadi karna hi hoga Priya ki papa ko apne izzat maan
maryada ka koi parwah nahi tha tabhi se wo soch rahe the ki Sameer agar itni
jaldi 10 lakh dene ko taiyaar ho gaya hai to iske paas bohat paisa hoga agar
Priya ki shaadi Sameer se ho jaayega to unhe paise ki koi chinta nahi hoga baad
me aur sukoon se baaki ki jindagi bita paayenge Priya ki papa ne to apni baat
Sameer ko keh diya lekin Sameer iss baat se bohat gusaa ho gaya aur gusse me
kaha
Sameer:- iss se mujhe koi parwaah nahi aapko 10 lakh de raha hun isse jyada
kuch nahi aur aapka kya izzat hai gaanw me koi aapka izzat karta hai? aap iss
gaanw me sabse badnaam sharabi ke roop me jaane jaate hai
Priya’s dad:- to fir kaun thaamega Priya ka haath kya usse jindagi bhar kunwari
rehna padega agar tum ye shaadi nahi karoge to main ye shaadi nahi
rukwaaunga Priya ki papa ki baat se aisa lag raha tha ki eo apne faisle se picche
nahi hatenge
Sameer:- Karan Priya usse pyaar karti hai aur Karan bhi usse aapko Priya ki
shaadi ki chinta karne ki jarurat nahi hai Karan kar lega shaadi usse Sameer ne
behad gusse me kaha Priya ki papa ko ek pal to jhatka laga Sameer ki baat sun
kar unhe laga ki unka ye sapna adhura reh jaayega lekin agle hi pal wo jidd me
add gaye
Priya’s dad:- nahi agar tum ye shaadi rukwaana chaahte ho to tumhe hi ye
shaadi karna hoga gaanw waalo kd saamne aur beizzat nahi hona chahta agar
wo Karan usse sach me pyar karta to wo tumhaare jagah hota khair maine apna
faisla suna diya hai aage tumhaara marzi Priya ki papa ne pehle hi dekh liya tha
samwer kitna utaawla ho raha hai ye shaadi rukwaane ke liye unhe pata tha ki
Sameer ye shaadi rukwaane ke liye kuch bhi kar sakta hai issi liye wo kuch pal
aur intejaar karna chahte the Sameer ko apne baat manwaane ke liye
Sameer:- to aap nahi maane waale
Priya’s dad:- maine apna faisla pehle hi suna diya hai abb Sameer aur bardaasht
nahi kar paaya aur gusse me Priya ki papa ki taraf badhne laga Divya ko samajh
me aa gaya ki agar abhi Sameer ko nahi roka gaya to maamla aur bigad sakta
hai wo teji se Sameer aur Priya ki papa ke bich me aa gayi aur Sameer ke paas
pahunch jar Sameer ka haath pakad kar usse room se baaahar le gayi Sameer
ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai bas Divya ke
piche jaane laga ye soch kar ki Divya akele me usse kya bataane waali hai bas
kuch hi der me Divya Sameer ko dusre room me le gayi room me pahunchte hi
Sameer ne pucha
Sameer:- mujhe iss tarah se iss room me kyu lekar aayi tum?
Divya:- tum se issi baare me baat karna tha jo main Priya ki papa ke saamne
nahi kar sakti thi
Sameer:- mujhe iss baare me kuch baat nahi karna buddhe ki himmat to dekho
agar tum bich me na aati to 2 ya 4 daant tod deta hai ek ungli kya diya buddha
pura haath hi maang raha hai Sameer ne behad gusse me kaha
Divya:- please Sameer shaant ho jao ye gussa hone ka samay nahi hai Divya ne
Sameer ko samjhaate hue kaha lekin Sameer samajhne ka mood me nahi tha
Sameer:- kaise shaant ho jaau wo buddha jo marji wo kar raha hai aur bol raha
hai jaanti ho kya karne ko keh raha hai main Priya se shaadi karlu yemaine apne
sabse bura sapna me bhi nahi socha socho agar ye shaadi ho bhi gaya to kya
hoga mera Shruti se bohat jaldi engagement hone waala hai aise me usse pata
chalega ki maine usse dhokha dekar Priya se shaadi kar liya to uss par kya bitegi
wo mujhse pyar karti hai main apne papa aur maa ko kya mouh dikhaaunga
Priya to tumhaari dost hai na tum to jaanti hi ho ki uski shaadi Karan se hone
waala hai to main kaise karlu Priya se shaadi agar kar bhi liya to main kya
jawaab dunga Priya ko kya ye kahunga ki main tumhaari jindagi barbaad karne
jaa raha tha aur mujhse galti ho gaya aur yahi galti sudhaarne ke liye tumse
shaadi karke ek aur galti kar liya kaise usse najar mila paaunga main jo sar aaj
tak uske aur Karan ke saamne nahi jhukaya ye shaadi karne ke baad apne aap
jhuk jaayega nahi Divya main nahi kar paaunga ye shaadi sab kuch tabaah ho
jaayega iss shaadi se kisi ka bhala nahi hoga itna keh kar Sameer shaant ho
gaya uski aawaj me ghabraahat aur gussa dono tha Sameer ki baat sunne ke
kuch der baad Divya ne kaha
Divya:- to aur kar bhi kya sakte hai ham iss tarah se to Priya ki shaadi Pratap se
ho jaayega aur uski jindagi barbaad ho jaayega aur iski wajah tum hoge sirf tum
Divya ki aawaj me Priya ke liye chinta aur Sameer ke liye gussa tha
Sameer:- ek raasta hai jaakar abhi buddhe ka akal thikaane par laata hun izzat
dekar aur jhuk kar kya baatein kiya mujhe kamjor samajhne laga abhi batata hun
main kya cheej hun itna kehkar Sameer room se baahar nikalne laga lekin piche
se aa rahi Divya ki aawaj ne usse fir se rok diya
Divya:- agar tumne haath bhi lagaya to wo cheekh kar chilla kar mehmaano ka
bhid jama kar denge aur tum khud ko kya film ka hero samajhte ho jo itne
mehmaano ko maar kar bach jaoge tum nahi jaante Priya ke papa kitne bada
kameena hai wo tum par kuch bhi ilzaam laga denge jaise tum iss ghar me chori
ke liye ghuse ho yaa fir kuch aur wo apne faaida ke liye kuch bhi kar sakte hai
pata nahi unhone tum me kya dekh liya hai jis wajah se wo Priya ki shaadi
tumhaare saath karwaana chaahte hai wo apna faisla kabhi nahi badlenge kuch
paise ke liye wo apni beti ko bech sakte hai kisi ko to socho wo apne faaidee ke
liye kyu apna faisla badlenge Divya ki baat sun kar Sameer fir majboor ho gaya
wo Divya ki taraf ghum kar bebasi bhari aawaj me bola
Sameer:- to tum chaahti ho ki main Priya se shaadi kar lu?
Divya:- nahi main nahi chhahti tumhaara aur Priya ka shaadi ho lekin kar bhi kya
sakte hai agar unki baat nahi maane to wo Priya ki shaadi kara denge uss Pratap
ke saath
Sameer:- aaj tak uss buddhe se ghatiya baap nahi dekha
Divya:- ye keh kar tum apni galti se piccha chhudaana chaahte ho bhulo mat
suruwaat tumne hi kiya hai Priya ki papa se jyada ghatiya shaayad koi nahi hai
lekin tum ne bhi koi accha kaam nahi kiya hai Divya ne Sameer ko ek baar fir
uski galti yaad karaate hue kaha
Sameer:- apni galti maanta hun usse picche nahi hat raha hun apni galti ka
ehsaas hai iss liye abhi tak yaha hun warna kab ka nikal gaya hota yaha se
mujhe Priya se koi matlab nahi hai aur naahi uski jindagi se bas main ye nahi
chaahta ki meri galti se kisi ko koi taklif pahunche iske baad Sameer aur Priya ki
bich khaamoshi chaa jaata hai kuch der ki iss khaamoshi ko todte hue Divya ne
kaha
Divya:- to tum kuch nahi karoge apne galti sudhaarne ke liye tumne hi kaha tha
na tum apna bhool sudhaarna chaahte ho to kaise sudhaaroge aise hi shaant
baith kar tab tak Priya ki shaadi bhi ho jaayega bas kuch hi der me Priya ki
shaadi hone waala hai aur tum kuch kar nahi paa rahe ho
tum kehte ho ki tum shaadi karke Priya se najar nahi mila paaoge to jab Priya ki
shaadi ho jaayega aur usse pata chalega ki tumhaara kripa se ye shaadi hua hai
to kya jawaab doge usse kya beetegi uss par jab usse pata chalega ki bina uski
koi galti ki ye sajaa milaa hai aur wo kisi ki dushmani ka shikar hui hai aur kya
jawaab doge tum Priya ki maa ko unhone tumhe itna bada galti ki baawjood maaf
kar diya hai aur abb tum par hi aasha kar rahi hai ki tum kisi tarah bacha loge
Priya ko iss shaadi se kya yahi jawaab doge ki tumhe apni galti ka koi afsos nahi
hai aur tum apna galti sudhaaroge bhi nahi chaahe kisi ki jindagi hi barbaad kyu
na ho jaaye aur kya jawaab doge tum apne parents ko jab unhe tumhaare iss
mahaan kaam ke baare me pata chalega aur kya jawaab doge tum khud ko kya
kabhi chain se jee paaoge Priya ki jindagi barbaad karne ka shraap lagega
tumhe har pal ghut ghut kar jiyoge kabhi shaanti nahi aayegi tumhaare jindagi
me itna keh kar Divya chup ho gayi Sameer par iss baat ka bohat bada asar hua
Divya ne Sameer ko uski galti ka aayina(mirror) dikha diya wo soch me pad gaya
aur khud me aur bhi jyada ulajh gaya ek taraf usse khaayi dikh raha tha to dusri
taraf kua kuch der shaant rehne ke baad Sameer bola
Sameer:- agar ye shaadi kar bhi lu to sabhi ko kya jawaab dunga main sabhi ki
najro me gir jaaunga ye shaadi karunga to Shruti ke saath anyaay hoga sach me
maine bohat galat kiya bohat buraa insaan hun main Sameer ekdam maayus
hokar bola
Divya:- nahi Sameer tum bure insaan nahi ho agar bure insaan hote to main
tumhe samjhaane ki koshish bhi nahi karti aur tum samajhna bhi nahi chaahte
tum abhi tak meri baat sunn rahe ho issi se pata chalta hai tumhe apni bhool ka
ehsas hai main bhi nahi chaahti hun Priya ki jindagi ke saath iss tarah se
khilwaad ho lekin Priya ki shaadi Pratap se ho isse behtar tumse ho jaaye main
ye nahi kehti hun ki jindagi bhar ke liye shaadi karo tum bas Priya se shaadi
karke tum usse yaha se uske baap se dur le jao kuch time baad divorce le lena
aur Karan to hai hi Priya ke liye iss tarah se Priya yaha se bach niklegi aur tum
apna bhool bhi sudhaar loge aur rahi baat tumhaara parents aur Shruti kaa to
suru me unhe jhatka jarur lagega iss shaadi se aur tumse naraaj bhi honge lekin
ek khushi bhi hoga unhe ki tumne kisi ki jindagi barbaad hone se bachaya ek
badi galti ko sudhaarne ke liye choti si galti kiya agar Shruti tumse saccha pyaar
karti hai to tumhaara baat jarur samjhegi aur tumhaara saath degi bohat jald sab
tumhe samjhenge aur maaf kar denge isai tarah tum apna bhool bhi sudhaar
loge aur sab kuch thik ho jaayega uske baad tum Priya se divorce le lena aur
Priya bhi Karan se shaadi kar legi baad me issi me sabhi ke liye accha hai mujhe
jo sahi laga wo maine keh diya tumhe abb force nahi karungi jo bhi faisla lena hai
jaldi se lo time jyada nahi hai hamaare paas han lekin meri baat ko ek baar
acche se sochna jarur itna keh kar Divya room se baahar jaane lagi tabhi
Sameer ka aawaj piche se uske kaano me pada
Sameer:- baad me Karan Priya se shaadi to kar lega na mujhe to uske pyar me
bilkul bharosa nahi hai Sameer ki aawaj me ek bechaini tha usse dar tha ki kahi
Karan usse bich me na chhod de
Divya:- agar saccha pyar karta hai to jarur karega itna keh kar Divya chali gayi
usse bohat der baad ek raahat mila usse vishwaas tha ki Sameer jarur maan
lega usne Sameer ko acche se sochne par majboor kar diya tha aur Sameer ke
chehre me aa rahi bhaaw ko padhne ke baad usse yakin tha ki Sameer Priya se
shaadi karne ke liye jarur maanega Divya ko bohat sukoon mil raha tha apne
dost ki jindagi barbaad hone se bachaane ke liye usne apna dosti ko bohat
acche se nibhaaya tha abb usse intejaar tha to bas Sameer ki jawaab ka usne
jaake Priya ki maa ko sab kuch bata diya Priya ki maa ko bhi ek raahat mila ki
shaayad abb Priya Pratap se bach gayi hai lekin apni beti ki iss tarah se shaadi
se unko dukh bhi ho raha tha abb bas wo yahi dua kar rahi thi ki unki beti ki aage
ki jindagi khusi ke saath bite Divya ki jaane ke baad Sameer ne kuch der tak
bohat gambeer roop se socha jyada time nahi tha sochne ka usse Divya ka baat
sahi laga aur saath hi Priya ke papa par bohat gussa aa raha tha gusse me
saath wo Priya ke papa ke paas gaya aur apne gusse ko dabaa kar shaadi ke
liye manjoori de diya Priya ki papa bohat khush ho gaye Sameer ki iss faisle se
unhone turant Pratap ke papa ke paas jaakar shaadi ke liye inkaar kar diya iss
tarah se puri taiyaari ke saath aane ke baad shaadi cancel ho jaane se kuch
hangama to hua lekin baat ko sambhaal liya gaya baraati ka laut te wakt Pratap
ne gusse se Sameer ko ghura lekin Sameer ne najar andaaz kar diya baraati ke
sabhi log laut gaye lekin Ramesh wahi par chipa raha shaadi ki photos khinchne
ke liye wo chahta tha ki ye photos upload karke social sites me upload karde aur
college ki sabhi dost Sameer aur Priya ka majaak banaye jis wajah se Priya
Sameer ko aur nafrat karne lage Sameer ki shaadi ki maane ki baat pata chalne
ke baad Priya ki maa turant Priya ke paas gayi aur Priya se boli
Priya’s mom:- Priya ek khushi ki khabar hai teri shaadi Pratap se nahi Sameer se
ho raha hai Priya ko iss baat se ek jhatka laga chaunkte hue usne puccha
Priya:- kaun Sameer
Priya’s mom:- wohi Sameer jo tere saath college me padhta hai abhi jyaada baat
karne ka time nahi hai jaldi se taiyaar ho ja Priya ke liye ye sabse bada jhatka tha
usse samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai wo yahi soch rahi thi
ki abb Sameer kaha se aa gaya aur uski jindagi ke saath kitna khel khela jaa
raha hai
Priya:- nahi main usse shaadi nahi karungi bohat majaak ho raha hai meri life ke
saath abb aur nahi maa aap nahi jaanti Sameer ko wo kitna buraa ladka hai
mana kar dijiye papa se iss shaadi ke liye warna main kuch kar lungi Priya ne
behad gussa dard aur nafrat ke sath kaha
Priya’s mom:- abhi koi baat mat kar bohat jald shaadi hone waali hai agar tu
mana kar degi to main jehar khaa lungi itna jarur samajh le ki Sameer utna bhi
buraa nahi hai usne tujhe teri jindagi tabaah hone se bachaaya hai baaki ki baat
tujhe baad me pata chal jaayega agar abhi shaadi nahi kiya tune to teri jindagi
tabaah kar dega tera sharaabi baap aur main bhi jehar khaa kar chali jaaungi iss
duniya se tujhe meri kasam hai aage teri marzi Priya ki maa ne ek bebasi ke
saath ye sab kaha Priya ki maa ko pata tha ki unki ye jehar khaane ki baat
sunkar Priya unhe mana nahi karegi aur hua bhi aisa hi Priya ne mana to nahi
kiya lekin dard aur gusse ke saath bebasi se apni maa ko dekhne lagi aur kuch
der baad uski aankho me aansu aane lage kuch der baad Divya bhi room me aa
gayi Priya ne ek aakhiri koshish kiya Divya se baat karke apni maa ko
samjhaane ka lekin Divya ne bhi usse Sameer se shaadi karne ke liye keh diya
iske baad Priya bilkul ek jinda laash ki tarah ho gayi usse apni maa aur Divya par
bohat gussa aa raha tha lekin wo kuch kar bhi nahi pa rahi thi issi tarah kuch der
baad shaadi ka wakt bhi aa gaya Sameer aur Priya taiyaar hokar mandap me the
Priya ne to Sameer ko ek baar dekha tak nahi Sameer bhi jinda laash jaisa ho
gaya tha majboor hokar wo kabhi Priya ko dekh raha tha to kabhi sabhi shaadi
me aaye mehmaano ko sabhi mehmaan aise shaadi badalne se shocked the air
aapas me baat kar rahe the lekin Sameer aur Priya ki ghar waalo ko iss baat se
koi farak nahi pada dhire dhire shaadi ki rashmein suru hone laga Priya aur
Sameer dono hi majboori me sabhi rashm ko nibhaate gaye sindur lagane
aurangal sutra baandhte wakt Sameer ka haath kaamp raha tha lekin jaise taise
usne kar hi diya saath fere lete wakt Sameer ko laga ki kab usse chakkar aa
jaayega aur gir jaayega lekin khud par kisi tarah se kaabu rakha hua tha usne
Priya ka bhi wohi haal tha issi tarah se bohat mushkil se Sameer aur Priya ne
shaadi kar liya shaadi karte wakt wo dono jaise khud se hi jung lad rahe the
Sameer Priya aur mehmaano ko chhod kar sabhi iss shaadi se khush the Priya ki
papa ka to khusi ka koi thikaana hi nahi tha Divya aur Priya ki maa utna khush to
nahi the lekin ek sukoon jarur mila unhe Sameer ko to aisa feel ho raha tha jaise
usne koi gunaah kar diya ho wo khud ki najro me apni bhool ke liye sharminda
ho raha tha Priya ko to rona aa raha tha apni bebasi air kismat par lekin wo roo
nahi paa rahi thi uske saare sapne khatam ho gaya tha aur apne aage ki life
soch kar aur dukhi ho rahi thi shaadi ka wo manhoos raat sabhi ke liye bohat
mushkil se kata agli din Priya ki papa Sameer ko le gaye shadi ki certificates me
sign karwaane ke liye aur ussi din dopahar ko riti riwaaj ke saath Priya ki vidaai
ho gayi Priya ko apne gharwaalo aur Divya se itna nafrat ho gaya tha ki wo apni
vidaayi me royi bhi nahi aur ek udaas chehra ke saath kisi ko bina dekje Sameer
ke saath uske ghar ke liye chal diya iss bich Sameer aur Priya ki bich koi baat
nahi hua dono khaamosh rahe saare raashte Sameer ke paas bolne ka himmat
nahi tha to Priya apne gussa ko dabaakar chup thi usse bhi pata tha bohat jald
uska ye gusaa jwalamukhi ki tarah fatne waala hai Priya ki maa ko Priya ki ye
harkat bura jarur laga lekin wo Priya ki haalat samajh sakti thi unhe ek sukoon
jarur mila ki jitna wo kar sakti thi apni beti kw loye unhone kar diya issi tarah
Sameer aur Priya ki ladaayi aur nafrat Shruti ka bhadkaana, Sameer ka bhool
aur Priya ki papa ka laalach ke kaaran Sameer aur Priya ki shaadi ho gaya
Flashback ends
Present
Sameer ne apni baat pura kar liya aur darte hue Priya ko dekhne laga Priya ki
chehre ka hairaani dard aur gussa dekh Sameer ka dar aur bhi badh gaya abb
usne khud ko taiyaar kar liya Priya ki gussa aur sawaal ke liye misunderstanding
hate regret and begining of love Priya kuch der Sameer ko dekhti rahi uske
chehre me hairaani gussa aur dard ke mile jule bhaaw tha kuch der chup rehne
ke baad usne Sameer se pucha
Priya:- waah Sameer bohat acche se nibhaaya tumne nafrat ko tumhaara badla
me kisi ki life barbaad ho jaaye isse tumhe koi matlab nahi bas agar tumhaara
kissi ke saath dushmani ho jaaye to jab tak tum usko nukshaan na pahuncha do
tab tak tumhe chhain nahi milega
Priya ne gusse ke saath kaha
Sameer:- sorry bohat bada galti ho gaya Rajesh ki accident ne mera dimaag
kharab kar diya aur mujhse ye bhool ho gaya Sameer ne khud ki najaro me
sharminda hokar sar jhuka kar Priya se dheemi aawaj me maafi maanga
Priya:- tumne itne saare galtiya kiya hai chalo bataao tumhe sabse bada galti
kaunsa laga? Sameer Priya ki baato ka jawaab dene hi waala tha ki kuch sochte
hue chup ho gaya Sameer ko aise chup dekh kar Priya ki gussa aur badh gaya
iss baar aur tej aawaj me wo boli
Priya:- abb kyu chup ho jawaab do meri life ko barbaad karne ke baad abb tum
chup ho? Priya ki har ek shabd Sameer ko aur sharmindaa kar raha tha bas kuch
din pehle ki hi baat hai Sameer Priya ki tej aawaj me ek bhi baat bardaast nahi
kar paata tha lekin aaj wo Priya ki kisi bhi baat ka jawaab dhang se bhi nahi de
paa raha tha har ek pal Sameer khud ko uss bhool ke liye kosta raha iss baar
Sameer ne himmat karke Priya ki sawaal ka jawaaab diya
Sameer:- bohat saari galtiya nahi sirf ek galti hua hai mujhse jaldbaazi me faisla
le liya aur chala gaya tumhaara gaanw tumse badla lene ek baar tumse baat kar
lena chaahiye tha Sameer ne firse dheemi aawaj me Priya ko dekhe bina hi
jawaab diya
Priya:- matlab tumhe iss baat ka koi afsos nahi hota ki tumhari wajah se meri
shaadi Pratap se ho jaata Priya ka har ek shabd me pehle ki tarah hi gussa tha
Sameer:- bilkul nahi hota agar sach me Rajesh ki accident ke piche tum aur
Karan hote to mujhe bohat sukoon milta tum dono ki jindagi barbaad karne me
main bura insaan nahi hun kisi ko be wajah koi nuksaan nahi pahunchaata hun
main lekin koi baar baar pareshaan kare ya mujhe nukshaan pahunchaaye usse
main bilkul nahi chhodta aur uske liye mujhse bura koi nahi hota meri wajah se
tumhaari life barbaad hone jaa raha tha is liye mujhe ye sab karna pada warna
mujhe koi parwaah nahi tumhaari life ki shaadi ke baad pehli baar Sameer ne iss
tarah ki baat kiya Priya se lekin uski aawaj me pehle ki tarah iss baar bhi
sharmindagi tha wo Priya ka saamna aur nahi karna chaahta tha lekin wo iss
wakt majboor tha isske baad Priya ne bhi kuch nahi kaha wo Sameer ko
samajhne ki koshish kar rahi thi har naye din usse Sameer ki nayi roop dekhne
ko mil raha tha Sameer ne abhi tak Priya ki taraf nahi dekha tha Sameer ki haalat
bhi bohat ajeeb tha jis ladki se wo itna nafrat karta tha aaj wo ussi ladki ka
gunehgaar khud ko maan ne par majboor ho gaya tha aur khud ki hi najro me
sharminda ho gaya tha Priya bhi Sameer ki baati ko soch rahi thi wo fir se apni
shaadi ki wakt ki baat ko sochne lagi ye sab sochte hi Priya ki aankho se fir se
aansu nikalne laga usse apne papa aur Sameer par bohat gussa aa raha tha aur
apni maa aur Divya ke liye uske dil me izzat aur badh gaya yahi sab sochte hue
wo Karan ke baare me bhi sochne lagi usse bilkul yakin nahi tha ki Karan uska
saath iss tarah se chhod dega Karan ka aise saath chhod dene se aur shaadi kar
lene se wo bilkul toot gayi usse abb apne maa aur Divya ke alawa koi apna najar
nahi aa raha tha usne kuch wakt pehle hi faisla le liya tha ki wo Sameer se
divorce lene ke baad kisi aur desh me jaake settle ho jaayegi aur wohi se apni
life ka nayi tarah se suruwaat karegi aur firse yaha ki iss maaahoul me nahi
lautegi jaha uske apno ne hi usse tod kar rakh diya Sameer aur Priya ki iss
khaamoshi ko Sameer ke mobile me aa raha phone call ne toda Sameer ne
mobile me dekha ki wo phone call Mahesh ka tha Sameer room ke baahar jaldi
se gaya aur phone receive kiya
Sameer:- han Mahesh bol abb kaisa hai tera bhai ka haal
Mahesh:- abb thik hai minor accident tha koi khatra nahi hai aur ye bata tu itna
dhire se kyu bol raha hai sab kuch thik to hai na?
Sameer:- kya thik hoga kuch thik nahi hai abhi abhi Priya ko sab kuch bata diya
abb to usse najar milaane me bhi dar lag raha hai
Mahesh:- chinta mat kar yaar sab kuch thik ho jaayega baato hi baato me bhul
gaya maine tujhe milne ke liye bulaane ke liye phone kiya tha ussi jagah me aa
jaa jaha par kal mile the
Sameer:- nahi yaar aaj nahi kal milye hai aaj kuch accha feel nahi kar raha hun
kal aaram se milte hai aur tujhe bataana bhi hai kaise meri ye shaadi hua kal
aaram se mil kar batata hun
Mahesh:- mujhe sab pata chal gaya hai Rajesh ne sab kuch bata diya mujhe wo
bhi yahi hai abhi aur ghar me rahega to aur accha feel nahi hoga tujhe aur
ghutan mehsoos hoga aaja yaha par ekdam fresh mehsoos karega Rajesh ki
baat sunte hi usse yaad aaya ki usse Rajesh ko pucchna tha kisne uska accident
kiya aur kaun hai wo ab Sameer ne Mahesh aur Rajesh se milne jaane ka faisla
liya aur jaise hi wo apne room ki taraf jaane ke liye muda usne Priya ko apne
picche dekha Priya ko dekh Sameer ne firse apni najar jhuka liya aur sochne
laga ki Priya abb yaha kyu aayi hai
Priya:- tumne sab kuch to bata diya lekin ye nahi bataya ki Shruti ko kisne wo
casette diya aur kisne Rajesh ka accident kiya aur ek baar Shruti ko yaha
bulaana usse ek baar acche se baat karna hai last ki line Shruti ne behad gusse
me kaha
Sameer:- iss baare me mujhe bhi kuch nahi pata hai wo hi pata lagane jaa raha
hun iss shaadi se itna tension me hun ki dimaag se ye baat nikal gaya tha aur
tum Shruti se kyu milna chaahti ho kisi ne usko de diya jaan bujhkar aur Shruti ko
galatfehmi ho gaya jisne ye sab kiya hai usse main chhodunga nahi
Priya:- nahi ek baar mujhe usse milna hai kuch baat karna hai usse kuch bahas
nahi karna chaahti main iss baare me
Sameer:- thik hai bol dunga usse itna keh kar Sameer nikal gaya Mahesh aur
Rajesh se milne kareeb 1 ghanta baad Sameer pahuncha ussi park me jaha
Mahesh aur Rajesh maujood the Sameer ne dono ko gale lagaya Rajesh ko gala
lagane ke baad Sameer ne dekha Rajesh thoda pareshaan dikh raha hai
Sameer:- kya hua abb tujhe pareshaan dikh raha hai?
Rajesh:- soch raha tha ki tu kahi abb tak mujhse naaraj to nahi hai tujhe
samjhaane ke liye ye sab bolna pada yaar Rajesh aage kuch bolta usse pehle hi
Sameer ne uski baat ko bich me kaat kar kaha
Sameer:- kal hi to phone me kaha tha tujhe ki main tujhse naraaj nahi hun tune jo
kiya mujhe samjhaane ke liye hi kiya waise bhi galti mera hai to main kaise
tujhpar naraaj ho sakta hun bhool ja uss baat ko abb sochna ye hai ki aage kya
karna hai Sameer itna keh kar aage jaakar bench par baith gaya Rajesh aur
Mahesh bhi Sameer ke paas aa kar baith gaye kuch der ki khaamoshi ke baad
Mahesh ne Sameer se kaha
Mahesh:- waah yaar kya shaadi kiya hai tune aisi shaadi ke baare me kam hi
sunne ko milte hai Mahesh ne muskuraate hue kaha to Sameer bhi samajh gaya
ki Mahesh majaak kar raha hai
Sameer:- han yaar aisi shaadi ke baare me kam hi sunne ko milta hai lekin abb
jo divorce hoga wo normal divorce hoga Sameer ki baat me na khushi tha aur
naahi gam lekin uski baato ne Mahesh aur Rajesh dono ko hairaan jarur kar diya
Mahesh:- kya itni jaldi divorce ka faisla ye kiska faisla hai tera ya Priya ka
Mahesh ki aawaj me hairaani tha
Sameer:- ham dono ka faisla hai ye Priya ne hi mujhe kaha tha divorce ke baare
me ye shaadi bhi maine issliye hi to kiya tha ki Priya se baad me divorce lunga
aur Priya Karan se shaadi kar legi lekin saala Karan shaadi se picche hat
jaayega ye nahi socha tha abb mera aur Priya ke bich jamti nahi hai to iss shaadi
ka kya matlab ye ek bura wakt hai ham dono ke life ka abb bas yahi aasha hai ki
divorce ke baad sab kuch thik ho jaaye Sameer ki baat me abhi bhi naahi khusi
tha aur naahi koi gam
Mahesh:- chinta mat kar yaar sabhi ki life me bura wakt aata hai hame aise wakt
me khud ko sambhaalne ke saath paristhiti se mukabla bhi karna padta hai 3
saal pehle maine aisa wakt ka saamna kiya tha aaj tu kar raha hai mujhe yakin
hai sab kuch thik ho jaayega
Sameer:- pata nahi yaar aur kya kya din dekhna baaki hai mujhe iss baat ka kisi
se shikaayat bhi nahi kar sakta kyuki saara galti mera hai
picchle kuch samay se aisa ghutan mehsoos kar raha hun ki kisi ko bata nahi
sakta jaise taise khud ko sambhaal raha hun jis Priya ki tej aawaj bhi main
pasand nahi karta tha aaj ussi Priya ki kadwi baato ko sunna pad raha hai aur
mere paas sar jhukaane ke alawa aur koi raasta bhi nahi hai sab kuch wakt ki
haath me chhod diya hai maine dekhta hun aage kya kya hona baaki hai Sameer
ne bohat dukhi ho kar kaha Mahesh aur Rajesh dono Sameer ko samjhaane lage
lekin fir bhi Sameer ki ghutan kam nahi ho raha tha Sameer unhe dikhaane ke
liye khush hone ka naatak kar raha tha lekin dono ko pata tha ki Sameer bas
naatak kar raha hai unhe khud ko khush dikhaane ka abb wo dono bas dua hi
kar rahe the sab kuch jaldi se thik hone ka kuch der ki khaamoshi ke baad
Sameer bola
Sameer:- Rajesh tune kaha tha na jisne tera accident kiya hai wo jail me hai uske
baare me bata main bhi ek baar usse milna chaahta hun Sameer ki iss achanak
pucha hua baat se Rajesh ek pal ke liye ekdam se ghabra gaya lekin agle hi pal
usne khud ko sambhaal liya lekin kuch bol bhi nahi paaya
Sameer:- kuch puch raha hun tujhse? iss baar Sameer ne gusse me puccha
Rajesh:- chal chhod na yaar abb uss baat ko bhul jaa waise bhi usse sajaa to mil
raha hai na Rajesh ne baat sambhaalne ke liye kaha
Sameer:- nahi jiski wajah se mera life ka ye haal ho gaya hai aur maine itni badi
bhool kar diya usse kaise bhul jaau jaldi bata uske baare me Sameer ne iss baar
gusse ke saath bechaini me pucha Sameer ka iss sawal se Rajesh fir chup ho
gaya usse samajh me nahi aa raha tha ki kya jawaab de
Sameer:- abb fir chup kyu ho gaya tu maine pucha hai tujhe kuch jaldi bata uske
baare me jisne tera accident kiya hai ek baar milna chaahta hun Sameer ka
gussa Rajesh ki khaamoshi ki wajah se har ek pal badh raha tha Rajesh ko bhi
laga ki abb wo aur jhuth nahi bol paayega behtar yahi hoga ki Sameer ko sach
bata de
Rajesh:- kisi ne mera accident nahi kiya tha aur koi jail me nahi hai mera hi galti
tha ki gaadi ki raaste me aa gaya shadi ki time maine jhuth bola tha wo shadi
rukwaane ke liye sorry yaar nahi chaahte hue bhi jhuth bolna pada uss shadi ko
rukwaane ke liye Sameer ko to ek pal ke liye yakin hi nahi hua jo Rajesh ne usse
kaha jab agle pal usse yakin hua to uska gussa uske kaabu me hi nahi raha uss
se Rajesh ka ye dhokha bardaast nahi ho raha tha wo apni jagah se uttha aur
thodi dur baithe Rajesh ki taraf gusse ke saath jaane laga Mahesh ko pata chal
gaya tha ki aise me Sameer kuch bhi kar sakta hai Sameer gusse me Rajesh ki
taraf badh hi raha tha ki Mahesh bich me aa gaya
Sameer:- tu bich me mat aa aaj isse nahi chhodunga dos kya maan liya isse ye
to sar par chaadhne laga bohat suna hai iska bakwas maine bohat pehle se hi
har baar isse dost samajh kar iski galtiya ko najar andaaj kiya iska baat ka
vishwaas karke maine Priya se shaadi kar liya Priya ko bachaane lekin aaj pata
chala isne mujhe dhoka diya hai Priya ka galti chupa kar meri haalat ka faaida
utha kar mera shaadi karwa diya uske saath itna keh kar Sameer kuch pal ke liye
chup ho gaya ek najar usne gusse se Rajesh ko dekha Rajesh ko samajh me
nahi aa raha tha usse kya mehna chaahiye Mahesh kuch bolne hi waala tha ki
Sameer ne fir Rajesh ko gusse se dekhte hue kaha
Sameer:- kyu yaar kyu dholha diya tune mujhe tujhe apna dost maanta tha yaar
hamara dosti itna bada tha ki Shruti se bhi tujhe upar rakha hamesha tera baat
ka hi yakin kiya har sukh dukh me tera saath dekh kar laga ki tu mera saccha
dost hai tujh par khud se jyada vishwaas karta tha issi liye teri phone ki ek call
me hi tera baat maan kar Priya se shaadi kar liya teri baat par ek baar bhi shak
nahi kiya lekin tune kya kiya mera dosti ka galat faaida uthaaya tu Divya se pyar
karta hai aur uski baat maan kar tune mujhse wohi kaha jo usne tujhe mujhse
kehne ko kaha itna keh kar Sameer fir chup ho gaya uske dimaag me fir ek galat
fehmi ne janam liya Rajesh kuch kehne hi waala tha ki fir Sameer ne kaha
Sameer:- accha to abb samajh me aaya Priya aur Divya ka plan jaan boojh kar
mujhe fasaya dono ne aur unka saath diya tune shaayad Priya ne mera paisa
dekh kar mujhe fasane ka socha hoga ya fir kuch aur plan hoga uska mere
khilaaf mujhe mentally torture karne ka aur uska saath diya Divya ne kya khel
khela hai usne mujhe to bilkul bhi shak nahi hua usa par ki wo mujhe fasa rahi
hai mujhe to laga wo mujhe samjhaa rahi hai aur mujhe galti karne se rok rahi hai
lekin mujhe kya pata tha wo dono aisa kuch plan kar sakti hai unhone jo kiya wo
kiya lekin tujhse aisa umeed nahi tha tune apne pyar ke liye hamaara dosti ka bhi
khayal nahi rakha apne pyar ke liye mere saath aisa majaak kiya tune tere pyar
ki nasha ne meri jindagi me itna bada bhukamp aa gaya Divya ki kuch dino ke
pyar ke liye tune mere dosti ka parwaah bhi nahi kiya maine kab roka tha tujhe
Divya se pyar karne ke liye tu Divya se pyar karta to mujhe koi problem nahi tha
tujhe teri life me khush dekhkar main bhi khush ho jaata lekin apne pyar paane
ke liye mujhe dhokha diya ye tune bilkul accha nahi kiya issi liye tu sab kuch
jaankar bhi anjaan bana hua tha aur mujhse itna bada jhuth bhi bola tum sab ne
milkar mujhe fasaya hai kisi ko nahi chhodunga jisne mujhe fasaya hai suruwat
tujhse hi karna padega aaj tak tune Sameer ka dosti dekha hai gussa nahi itna
keh kar Sameer shaant ho gaya lekin chehre ki bhaaw aur khatarnaak ho gaya
Mahesh Sameer ki baat sunkar kuch samajh nahi paa raha tha Rajesh ko
Sameer ki baat sun kar bohat hairaani ho raha tha Rajesh ko yakin nahi ho raha
tha Sameer uski ek jhuth se itna kuch soch sakta hai abb usse dar lag raha tha ki
Sameer gusse me kuch aur galat na karle usse samajh me nahi aa raha tha ki
kaise Sameer ko samjhaaye aur uska galatfehmi dur kare
In Sameer’s home
Priya apne room me Sameer ki kahi baat soch rahi thi tabhi uska dhyan room ki
gate par hui knock ne toda Priya ko samajh me nahi aa raha tha ki kisne gate
knock kiya hai yahi sochte hue wo gate tak pahunchi aur gate ko khola gate
kholte hi usse thoda shock hua aur gusse me aawaj nikal
Priya:- Shruti
Shruti:- tune mujhe kyu bulaaya? Shruti ki aawaj me nafrat ke saath gussa bhi
tha
Priya:- tujhse baat karna hai Priya ki bhi aawaj me gussa ke saath nafrat tha
Shruti:- lekin main tujhse baat karna nahi chaahti hun aur ye bata ki tune Sameer
se kyu kaha mujhe bulaane ke liye aur han tune Sameer ko fasa kar bilkul accha
nahi kiya jaldi se chali jaa Sameer ki life se
Priya:- wohi to bataa rahi hun abb sunegi bhi ya bas aise hi bak bak karti rahegi
Shruti ne iss baar kuch nahi kaha bas gusse se Priya ko ghurti rahi
Priya:- pehle ye bata ki maine aur Karan ne kab Rajesh ka accident kiya tha aur
kisne tujhe ye cassette diya? Priya ki iss sawal se Shruti ka chehre ke rang ek
dam se udd gaya apni chori pakde jaane ka dar uske chehre me saad dekha jaa
sakta tha jo Priya ne dekh liya tha Shruti ko bilkul bhi andaaza nahi tha ki Priya
ko ye baat pata chal gaya hoga aur wo bhi itni jaldi wo Priya se bachne ke liye
jawaab dhundne lagi
Udhar Sameer Mahesh ko thoda side karke Rajesh ki taraf aage badha wo
Rajesh ke saamne pahuncha hi tha ki Rajesh ne achanak se uske gaal me ek
jordaar thappad maar diya Sameer ko Rajesh ki thappad ki umeed bilkul bhi nahi
tha usne gusse se apna chehra utha kar Rajesh ko dekha aur kuch kehne hi
waala tha ki Rajesh ki gusse se bhari aawaj uske kaan me pada
Rajesh:- tu paagal ho gaya hai pata nahi kya kya bakwas soche jaa raha hai tu
aisa soch bhi kaise sakta hai mere baare me aur Divya ke baare me tujhe ye
jaana hai na ki maine jhuth kyu bola agar ye jhuth nahi bolta aur kadwi baatein
nahi bolta to tu mujh par yakin hi nahi karta paagal ho gaya tha tu apna badla
lene ke liye jab Divya ne mujhe saari baat bataaya tab main ekdam shocked ho
gaya tha mujhe to vishwaas bhi nahi ho raha tha ki tu apne badle ke liye itna
paagal ho jaayega Divya ki baato me sachaayi tha ye main abhi bhi vishwaas ke
saath keh sakta hun aur mujhe ye bhi vishwaas hai ki Priya itna galat kaam nahi
kar sakti aur mera accident to bilkul nahi mera uske saath kabhi jhagada hua
nahi hai teri wajah se usse baat nahi kiya hai wo alag baat hai tujhse jyada Priya
ke baare me jaanta hun tu jitna galat samajhta hai usse wo utni hai nahi tu to
hamesha uske saath ladta jhagadta rehta hai to tujhe uska acchaayi ka kaise
pata chalega tere dimaag me uske liye negative image hai ye baat main acche
se jaanta hun kabhi tujhe uske baare me bataya nahi kyu ki kabhi jaroori samjha
bhi nahi tum dono jitna dur rehte the utna hi accha tha lekin abb haalaat aur
paristhiti badal chuka hai isa liye batana pad raha hai isse jyada aur kuch
bataunga nahi kuch dino baad tujhe khud pata chal jaayega wo kaisi hai jis din
tera shaadi hui uss din Divya ki baat sun kar mujhe itna to pata chal chuka tha ki
Priya ki shaadi bohat jald hone waala hai agar jaldi se kuch nahi kiya to baat
bohat bigad sakti thi tujhe samjhaana bhi bohat mushkil ho gaya tha uss samay
mere liye kyuki tu apne badle ki aag me jal raha tha tujhe kisi bhi haal me yakin
dulaana tha aur mujhe wo jhuth bolna pada maanta hun maine ye jhuth jarur bola
hai ki jisne mera accident kiya hai wo jail me hai lekin ye baat jhuth nahi hai ki
Priya aur Divya ki iss accident se koi lena nahi hai aur usne tujhe fasaya hai ye
baat main yakin ke saath keh sakta hun Rajesh ne behad gusse ke saath kaha
Rajesh ki baat khatam hote hi Sameer ka gusa bhi shaant ho gaya wo kuch
bolne hi waala tha ki firse Rajesh ne pehle waale andaaj me usse kaha
Rajesh:- Sameer tu bohat ajeeb insaan bahi yaar tujhe Divya li baato se aur
Priya ki maa ki wo dard bhari baato se aur unka apni beti ke liye fikar dekh kar
bhi yakin nahi hua ki Priya galat nahi hai Priya ki baato se bhi yakin nahi jo raha
hai tukhe ki Priya galat nahi hai sach me tujh me koi feelings hai hi nahi abhi bhi
tu apni galti maane ki wajah khud ki galti ko chupaane ki koshish kar raha hai
itna keh kar Rajesh chup ho gaya aur Sameer ko gusse se ghurne laga Rajesh ki
ye baat sun kar Sameer jaakar bench par waapas baith gaya aur apne sar ko
jhuka kar apni hatheliyo par rakh liya
Rajesh:- abb aise chup kyu ho gaya kuch der pehle tak to bohat badi badi
baatein kar raha tha
Sameer:- galti ho gaya yaar firse
Sameer ki aawaj me udaasi aur aatmaglani tha
Rajesh:- tu kehta hai galti ho gaya lekin tujhe pata hai tu kitna bada galti kar raha
hai kabhi soch samakhkar kuch kaam nahi karta hai tu hamesha jaldbaazi me
karta hai apni marzi se aur issi wajah se aaj iss musibat me fasa hua hai Rajesh
ki aawaj me abhi bhi gussa tha
Sameer:- pata nahi yaar aajkal main kya kar raha hun mujhe hi samajh me nahi
aa raha hai picchle kuch months se bohat pareshaan ho gaya hun andar hi andar
bohat ghut raha hun kya karta hun kuch samajh me nahi aata hai kabhi dimaag
shaant nahi rehta hai har pal dimaag me kuch na kuch tension rehta hai jitna
khud ko tension free karne ki koshish karta hun utna hi ulajh jaata hun aur issi
wajah se mujhse itna bada bhool ho gaya jo maine bina kuch samjhe jaldbaazi
me kar diya aur aaj bhi tujh par itna gussa ho gaya tea jhuth bolne ki wajah se na
chaahte hue bhi bohat gussa aata hai kabhi khud par to kabhi saamne waale par
pata nahi kab tak aise hi ghut kar jeena hoga mujhe Sameer behad pareshaan
hokar bola Rajesh to abhi bahit kuch kehme waala tha Sameer ko lekin Sameer
ki haalat dekh kar usne baad me kehne ka socha aur Sameer ko samjhaate hue
kaha
Rajesh:- yaar jitna ghut kar jiyega utna hi depressed hota jaayega abb to tune
aur Priya ne ye decide bhi kar liya hai ki aage kya karna hai tum dono ko to sab
kuch laghbhag thik ho chuka hai tu abb aur tension mat le kuch dino ke liye bhul
jaa ki tune koi galti kiya hai aur kisi kaam me vyast ho jaa isse tujhe inn saari
baato ka tanaav khatam ho jaayega jitna tension lega utna hi depressed hota
jaayega aur baad me bohat pareshaani hoga tujhe iss liye abhi wakt me hi
sambhal jaa aur jitna ho sake utna Shruti se dur rehna iss wakt
Sameer:- lekin Shruti sekyu dur rahu? Sameer ne hairaani ke saath puccha
Rajesh:- abhi iss wakt Shruti ke baare me main koi baat nahi karna chaahta hun
tera tension aur badh jaayega fir bhi kuch baatein bata deta hun maine dekha hai
tu college ki aakhiri wakt se hi iss tarah ghut ghut kar jee raha hai ussi wakt se
maine mehsoos liya hai ki tu pareshaan hai tu maan ya na maan iski wajah
Shruti hi hai iss liye keh raha hun ki tujhe sabse jyada tension Shruti ki wajah se
hai iss liye kuch dino tak usse ignore kar aur dekhna tu bohat jald normal ho
jaayega Rajesh ne apni baat keh diya uski aawaj me Shruti ke liye nafrat bhara
tha wo Shruti ke baare me Sameer se aur baat karna chaahta tha khaaskar
casette ke baare me lekin Sameer ka pareshaani dekh usne baad me baat karne
ka faisla kiya
Sameer:- Shruti Sameer isse jyada kuch bolta Rajesh ne uske baat bich me hi
kaat kar kaha
Rajesh:- nahi abhi iss baare me aur koi baat nahi karenge iske baad Sameer ne
Mahesh aur Rajesh ke saath kuch der baat kiya kisi dusre topic par Rajesh aur
Mahesh ne puri koshish kiya Sameer ko uski pareshaani se dur karne ka unse
baat karke Sameer ka mood bhi thoda halka ho gaya
In Sameer’s home
Priya:- abb bolti kyu nahi Sameer se tune yahi kaha tha na ki maine aur Karan ne
Rajesh ka accident kiya tha aur tune proof ke roop me wo casette diya Sameer
ko Priya ne iss baar aur bhi gusse me kaha
Shruti:- han kaha tha maine Shruti iss baar chup nahi rahi aur gusse mwe usne
bhi jawaab diya
Priya:- aur wo kyu? Priya ki aawaj me hairani ke saath gussa bhi tha Priya ki iss
sawaal par Shruti kuch der tak chup rahi aur fir gusse me boli
Shruti:- kyu ki mukhe tujhse badla lena tha meri birthday party me tune mera jo
insult kiya tha usseai abb tak nahi bhooli hun ai hi jaanta hun kis tarah se tune
mera majaak udaaya tha aur mujhe kitna bura laga hai birthday party me hi nahi
baar baar tune mera majaak udaaya hai iss baat ko itni aasani se bhool nahi
sakti itna hi nahi tu baar baar mere Sameer se ladti rehti thi aur gusse me hi sahi
Sameer ka dhyaan baar baar teri taraf chala jaata tha ye sab mujhse bardaast
nahi ho raha tha issliye ek plan banaya aur Sameer ka gusse ka istemaal karke
apna badla le liya maine teri jindagi barbaad kar diya maine tera pyar Karan ko
tujhse dur kar diya abb maja aayega teri ankho me ansu dekh kar tujhe tadapta
dekh kar bohat jald tujhe iss ghar se nikal dungi uske baad tera buraa haal dekh
kar khusiya manau main itna keh kar Shruti hasne lagi Priya ko Shruti ki baato
par bohat gussa aa raha tha ek baar fir Karan ki baat se usko bohat taklif
pahuncha lekin wo Shruti ke saamne kamjor dikhna nahi chaaahti thi
Priya:- tune mujhe barbaad karne ka socha lekin iss badle ki aag ne mujhse
jyada tujhe nukshaan pahuchaaya Priya ne ek gussa bhari mushkaan ke saath
kaha to Shruti Priya ki baat par hairaan ho gayi
Priya:- accha hi hua jo mujhe nakli rishte ke baare me pata chal gaya Karan
mujhse saccha pyar nahi karta tha ye baat to pata chal gaya han bohat bura lag
raha hai uska mujhe iss haal me chhod kar jaana dil tut gaya hai uski ye harkat
se agar meri shaadi usse ho jaati to bhi wo kabhi bhi mujhe chhod sakta tha aise
me mera aur buraa haal ho jaata Karan ki assliyat pata chal gaya iss shaadi se jo
baat kal pata chalta wo aaj pata chal gaya shaayad abhi bohat der nahi hua tha
issi tarah khud ko sambhaal paa rahi hun papa ki assliyat ke baare me bhi pata
chal gaya sabhi nakli rishte ke baare me pata chal gaya maa ka pyar aur Divya
ka saath ke baare me bhi pata chal gaya unhone mera iss haal me bhi saath diya
ye baat jaankar mere dil me unke liye izzat aur badh gaya iss shaadi se mera 1
saal barbaad ho gaya lekin baat jyada bigda nahi hai 1 saal baad Sameer se
divorce lekar kahi aur chali jaaungi aur apni jindagi ka fir se nayi suruwaat
karungi aur bach kar rahungi aise jhutthe rishte se jo sirf matlabi ho tune bhi
apna nukshaan karwa liya hai apni badle ki wajah se abb 1 saal tak to bhul jaa ki
Sameer tera hoga divorce ke liye 1 saal ka wakt to lagega hi aur tab tak ke liye
Sameer tera nahi hoga karte rehna 1 saal tak Sameer ka intejaar Priya ne Shruti
ka majaak udaate hue kaha
Shruti:- tune accha nahi kiya Sameer ko fasa kar tujhe to main nahi chhodungi
pehle ye bata ki Sameer ne tujhse shaadi kyu kiya
Priya:- mere paas faaltu time nahi hai tujh jaise faaltu ladki ko ye sab bataane ki
tera nafrat dekhkar bhi bohat ajeeb lagta hai tera jo nafrat hai mere liye usne tujh
se tera pyar ko cheen liya aage mujhe aur taklif pahunchaane ki koshish kiya ya
fir mere khilaaf koi saajish kiya to hamesha ke liye Sameer ko tujhse cheen lungi
Priya ne firse Shruti ka majaak udaate hue kaha
Shruti:- kya kya karegi tu dhamki de rahi hai tu mujhe kya karegi tu? bas tu yahi
keh sakti hai Sameer se ki maine Rajesh ka accident karwaya aur Sameer ko kisi
wajah se tujhse shaadi karna pada lekin jab Sameer puchega to main keh dungi
ki maine aisa kuch nahi kiya aur main jaanti hun Sameer meri baato ka bharosa
karega Shruti ne darte darte kaha apni baatein usse dar lag raha tha ki kahi sach
me Priya Sameer se ye saari batein na bata de
Priya:- nahi main ye sab nahi kahungi Sameer se aur kahungi to bhi wo
bishwaas nahi karega jaanti hun main to tujhse ye keh rahi thi ki mujhe tujh jaise
faaltu ladkiyo se koi matlab nahi hai main bas itna chaahti hun ki jab tak main
yaha rehti hun tu koi saajish nahi karegi mere khilaaf mujhe acche se rehne de
jab tak main yaha rehti hun uske baad tum dino ki lofe se chali jaaungi aur tum
dono se koi matlab nahi rahega mera agar mujhe laga ki tu mere khilaf koi
saajish kar rahi hai to Sameer ko divorce hi nahi dungi Sameer ne kaha tha
mujhse ki agar main uske saath hi rehna chaahu to reh sakti hun wo kuch wakt
jarur lega adjust karne ke liye aur adjust kar lega uski wajah se hi mera ye haal
hai ye baat usse pata hai aur aise me agar maine kaha ki muuhe divorce nahi
lena hai to wo kuch nahi kahega mera baat maanega abb faisla tere haath me
hai tera chhota sa bhul Sameer ko tujhse cheen sakta hai Priya ne Shruti ki taraf
gusse se dekhte hue ek muskaan ke saath kaha Shruti ne jaise ye suna uska dar
aur bhi badh gaya usse Priya ki baato me sachaayi dikh rahi thi dar ke maare wo
kuch bol nahi paa rahi thi Priya ne jaise hi Shruti ke chehre me dar dikha uski
chehre me muskaan aa gaya
Priya:- tera kaam ho gaya abb tu jaa yaha se tujhe bas ye warning dena tha iss
liye bulaaya
Shruti:- ye Sameer ka room hai aur tu mujhe iss room se aise jaane ke liye
kahegi
Priya:- ye Sameer ka nahi mera room hai agle 1 saal ke liye Sameer alag room
me shift ho vaya hai jaate jaate ek baat sun le Sameer tera tha lekin teri bewkoofi
ki wajah se ek din Sameer tujhse cheen jaayega agar kisi din Sameer ko pata
chala ki Rajesh ka accident tune karwaya hai ya fir tu uske peeth piche koi
saajish kar rahi hai to wo apne aap hi tujhse dur ho jaayega fir pachtaate rehna
jindagi bhar tujhe samjhaane se koi faaida to hoga nahi maine apni baat keh diya
hai abb maana ya nahi maana tere haath me hai Priya ne apni baat khatam
karke mood kar bed ki taraf chali gayi Shruti bhi Priya ko gusse aur dar ke saath
dekhti hui chali gayi
Shaam ke karib 6:00pm me Sameer apne ghar aa gaya wo apne room ki gate
me pahuncha to gate me khadi Priya ko dekh hairaan ho gaya wo hairaani se
Priya ko dekhta raha
Priya:- tumse ek bat pucchna tha tumne kaha tha ki Rajesh Divya se pyar karta
hai? jaise hi Sameer ne Priya ki baat suna usko ek jhatka laga aur saath me dar
bhi usse pata hi nahi chala ki usne Priya ko apni bhool ke baare me batate hue
Priya ko Rajesh ki pyar ke baare me bhi keh diya tha Rajesh ne usko iss pyar ke
baare me kisi ko bhi kehne se mana kiya tha lekin Sameer ne anjaane me Priya
ko sab kuch bata diya tha jitna wo Rajesh ke pyar ke baare me jaanta tha abb
Sameer ko dar lag raha tha ki kahi Rajesh ka pyar uski wajah se na tut jaaye
Sameer kuch der tak issi soch me vyast raha uska koi jawaab nahi aane se Priya
ne fir se pucha
Priya:- kuch puch rahi hun tumse? Priya ki iss sawal se Sameer apni soch se
baahar nikla usse pata tha ki abb jhuth bolne se koi faaida nahi hai pehle hi usne
sab kuch bata diya hai
Sameer:- han karta hai kuch der chup rehne ke baad Priya boli
Priya:- kabse?
Sameer:- wo to pata nahi hai lekin usne ye baat khul kar mujhe uss din bataya
jab uska accident hua tha iske baad Priya kuch nahi boli kuch der tak intejaar
karne ke baad bhi jab wo nahi boli tab Sameer ne kaha
Sameer:- please ye baat Divya ko mat bataana Rajesh ne mujhe ye baat kisi ko
nahi bataane ke liye kaha tha lekin galti se tumhe bata diya abb dar lag raha hai
ki kahi meri wajah se kahi kuch gadbad na ho jaaye Sameer ki baato me request
aur dar dono tha
Priya:- fikar mat karo main Divya ko iss baare me kuch nahi kahungi Rajesh tum
jaisa bura ladka nahi hai itna to mujhe yakin hai aur ye unn dono ka maamla hai
main koi dakhal nahi dungi waise bhi mujhe tumhaari tarah rishto ko todna nahi
aata aur kisi ka pyar ko todna to bilkul bhi nahi aata Priya ki iss baat ne Sameer
ki dil ko bohat chot pahunchaya lekin iska jawaab usne muskuraa kar diya lekin
muskuraahat me bhi wo apna dard chupa nahi paaya kuch der chup rehne ke
baad usne kaha
Sameer:- han sahi kaha tumne Rajesh mujh jaisa bura ladka nahi hai ussi ne
mujhe sambhala hai warna main aur buraa ban gaya hota Sameer ki iss baat par
Priya ne kuch nahi kaha kuch der ki khaamoshi ko firse Sameer ne hi toda
Sameer:- tumhe kya lagta hai Divya bhi Rajesh se pyar karti hai? kabhi usne
tumhe iss baare me kuch bataya?
Priya:- nahi usne mujhe aisa kuch nahi bataya hai Priya itna keh kar apne room
me chali gayi Sameer bhi apne naye room me jaakar rest karne laga
Raat me sabhi ne ek saath dinner kiya dinner ke time kisine kuch nahi kaha
sabhi shaanti se dinner kar rahe the Sameer aaj bohat dhire khaa raha tha
khaate wakt bhi uske dimaag me bohat saari baatein aa raha tha kuch der me
dinner khatam karke Mr Sharma aur Priya apne apne room me chale gaye
Sameer ne bhi kuch der baad apna khana khatam karke uthne hi waala tha ki
Mrs Sharma ne usse pucha
Mrs Sharma:- kya hua Sameer bohat pareshaan dikh raha hai? Mrs Sharma ne
aaj pehli baar shaadi ke baad Sameer se khul kar kuch pucha tha
Sameer:- nahi maa aisi koi baat nahi hai
Mrs Sharma:- abb apni maa se bhi tu baat chupaayega tere chehre me
pareshaani saaf dilhaai de raha hai aisa lag raha hai bohat ghut ghut kar jee raha
hai tu kuch dino se Mrs Sharma ki baato me Sameer ke liye fikar tha lekin
Sameer unki iss baat ka koi jawaab nahi de paaya wo chup hi raha
Mrs Sharma:- accha thik hai tu bataana nahi chahta hai to mat bataa abb main
chalti hun bas iss baat ka dukh hai ki apne bete ko aise ghut ghut kar jeeta dekh
rahi hun aur main kuch nahi kar paa rahi hun Mrs Sharma ne niraash hokar kaha
aur waha se utth kar apne room me jaane lagi Sameer abb bardast nahi kar
paaya aur dard bhari aawaj me usne kaha
Sameer:- maa Sameer ki aawaj me itna dard tha ki Mrs Sharma bhi ghabra kar
picche mudd gayi jab unhone Sameer ko dekha tab Sameer ka chehra dekh kar
hairaan reh gayi aaj unhone bohat dino baad Sameer ko rota hua dekha tha
Sameer ki aankh aansuon se bhar gaya tha aur kuch boond aansu uske gaalo
me gir gaya tha Mrs Sharma turant Sameer ke paas utth kar chali gayi ek chair
utha kar wo Sameer ke paas hi baith gayi aur Sameer ka sar ko apne godd me
rakh kar uske sar par haath ferte hue boli
Mrs Sharma:- aise mat roo Sameer tujhe rota dekh kar aur pareahaan dekh kar
mujhe bohat buraa lag raha hai nahi dekh paa rahi hun tujhe iss haal me kya
pareshaani hai tujhe mujhe bata main sab thik kar dungi
Sameer:- main kitna bura hun na maa kisi ke saath accha nahi kiya aap logo se
bina bataye shaadi kar liya wo bhi kisi ladki se uske marzi ki khilaaf aap logo ka
diya hua sanskar ka maan nahi rakh paaya bohat galat kaam kiya hai maine
papa ko kitna garv tha mujh par hamesha mera saath dete the aur hamesha
vishwas tha unhe mujh par ki main kabhi galat kaam nahi kar sakta kabhi kuch
bhi karne se roka toka nahi unhone sabhi rishtedaaro ke saamne shaan se sar
uthaa kar kehte the ki main unka beta hun aur meri har acchi baatein ke baare
me sabhi ko garv ke saath kehte the mujhe bhi bohat accha lagta tha ye sab
lekin mera ek bhool ne sab kuch khatam kar diya unka mujh par vishwas aur
garv sab tut gaya unhone jyada kuch kaha nahi hai lekin main jaanta hun wo
mujhse kitne naraaj hai mujhse itna pyar karne wali Shruti ko bhi mujhe na
chaahte hue bhi dhokha dena pada kitna pyar karti thi wo mujhse aur shaadi ka
kitna bada sapna sajaya tha lekin meri ek galti ne uska dil tod diya wo to abhi bhi
mujhse pyar karti hai lekin maine uske saath itna galat kar diya aur abb kuch kar
bhi nahi paa raha meri galti ki wajah se aap dono ko Shruti ke parents aur
Principal sir se kitna kuch sunna pada sab meri wajah se hua hai meri galti ki
wajah se Priya ki najaro me mujhe jhukna pada aur abb wo mujhe aur bhi jyada
nafrat karti hai main uska aur uski maa ka gunehgaar hun meri ek galti ki wajah
se bohat kuch tabaah ho gaya sabhi mujhse naraaj hai papa aur Priya mera
shakal dekhna nahi chaahte aur aap bhi baat nahi karna chahti hai itna keh kar
Sameer chup ho gaya uske aawaj me bohat dard tha usne rote hue apna saara
galti ke baare me keh diya Mrs Sharma ka bohat bura haal ho raha tha Sameer
ko aise rota bha aur pachtate dekh kar unki aankho se bhi aansu ke kuch boond
gaalo par gir gaya unhone Sameer ko samjhaate hue kaha
Mrs Sharma:- chup ho jaa Sameer aise rote nahi galti to tune kiya hai wo bhi
bohat bada galti lekin tune apna galti ka ehsas hone ke baad uss haalat me Priya
se shaadi kiya aur apni badi galti hone se roka ye bohat accha kiya tune teri
aankho ki aansu aur paschataap bata raha hai ki tujhe kitna afsos hai apni galti
par wo insaan mahan nahi hai jo kabhi galti na kare balki wo insaan mahan hota
hai jo apni galti se kuch sikhte hai aur fir dobara wo galti nahi dohraate hai abb jo
ho gaya wo ho gaya abb ham isse badal to nahi sakte hai lekin itna jarur kar
sakte hai ki aage aisi galti dobara na kare tere papa naraaj to hai tujhse aur wo
apni jagah bilkul bhi galat nahi hai lekin bohat jald unka naraajgi khatam ho
jaayega tujhse bas abb aisi koi galti mat karna ki fir wo naraaj ho jaaye aur beta
main Priya ki haalat samajh sakti hun teri iss galti ki saza Priya ko bhugatna pad
raha hai uska koi galti bhi nahi tha aise me uska naarajgi jaayaj hai agar wo
gusse me kuch jyada bol bhi degi to sun lena ulta jawaab mat dena itna keh kar
Mrs Sharma chup ho gayi Sameer ko unki baato se bohat sukoon mila usse pata
chal gaya ki uske dosto ke alawa uske maa bhi uske saath hai jo uska dard
samajhti hai aur unka kaha hua har baat Sameer ko sahi laga lekin usne kuch
nahi kaha
Mrs Sharma:- aur tujhe ye kisne kaha ki main tujhse baat karna nahi chaahti hun
main soch rahi thi kuch wakt deti hun taaki tu iss pareshaani se nikal jaaye aur
khud ko sambhaal le lekin aisa nahi hua khud ko sambhalne ki jagah tu aur
pareshaan hone laga iss liye tujhse aaj baat karna pada
Sameer:- maa kya karu haalat hi aise ho gaye hai jitna koshish karta hun koi
tension nahi lene ka utna hi tension badhta jaa raha hai ek pal ke liye bhi chhain
nahi mil raha hai Priya ka gunehgaar maan raha hun main khudko issi wajah se
har pal ghut ghut kar jee raha hun Priya ki kadwi baatein mujhe khudki najaro me
aur sharminda kar raha hai jab bhi aap dono ke baare me aur Shruti ke baare me
sochta hun to aur pareshaan ho jaata hun pata nahi kab tak aise jeena hoga
mujhe aur kab khud ki najaro me utth paaunga kabhi galat kaam karne ka nahi
socha lekin khud ki nafrat aur galatfehmi ne aisa karne par majboor kar diya
Mrs Sharma:- tera ye galti wakt ke saath hi thik hoga tu kuch bhi nahi kar sakta
sudhaarne ke liye bas wakt ke saath hi sab kuch thik hoga tune galti hi aisa kiya
hai ki ye sab baato ka saamna ro karna hi padega lekin tujhe khud ko
sambhaalna hoga pehle aur dil aur dimaag se majboot banna hoga jaisa pehle tu
tha tabhi tu inn sabhi cheejo ka saamna kar sakta hai koi tujh par yakin kare ya
na kare main hamesha tere saath hun aur mujhe yakin hai ki tu khud ko
sambhaal lega aur ek din sab kuch thik ho jaayega Mrs Sharma ki baato ne
Sameer ko hausla diya khud ko sambhaalne ka Mrs Sharma ki iss mental aur
emotional support se Sameer ko bohat sukoon mila usne bhi wohi karne ka
socha jo uske maa ne usse kaha tha aur sab kuch wakt ke haath me chhod diya
kuch der aur aise baat karne ke baad dono apne room me chale gaye Sameer
aur Mrs Sharma dono ko aaj bohat raahat mila tha Sameer iss wajah se khush
tha ki uska maa ne usko samjha aur ye bhi samjhaya ki usse aage kya karna hai
Mrs Sharma iss wajah se khush thi ki unhone Sameer ko uski pareshaani se
baahar nikaal diya abb unhe yakin tha ki Sameer pehle jaisa ghut ghut kar nahi
jiyega kuch der apne room me bitaane ke baad Sameer chhat (roof) me chala
gaya kitchen ki refrigerator se ek coke ka bottle aur sise ka glass lekar chhat me
wo ek chair me baith kar thandi hawa me fresh ho raha tha wo iss wakt kuch
soch nahi raha tha aur naahi kuch sochna chaahta tha wo jitna ho sake apne
dimaag ko shaant rakhne ki koshish kar raha tha aise hi kuch der baithne ke
baad usne coke ki bottle se glass bhara aur bottle ko niche rakh diya ussi wakt
Priya ne bhi chhat me apna kadam rakha aur saamne ka maahaul dekhkar laga
ki Sameer fir se daru pee raha hai ye dekhte hi uska gussa ek dam badh gaya
aur wo gusse me Sameer ki taraf aage badh gayi Sameer ko laga ki piche se koi
aa raha hai jab usne palat ka r dekha to Priya uske saamne aa gayi thi Sameer
ne ek najar Priya ki chehre ko dekha Priya ki aankho me usse gussa dikh raha
tha Sameer ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki abb wo itna gussa kyu hai
Priya:- tum fir daru pee rahe ho? Sameer Priya ki gusse ki wajah soch hi raha tha
ki Priya ne gusse se Sameer se pucha
Sameer:- ye koi daru nahi hai coke hai Sameer ne bttle niche se utha kar
dikhaya Priya ko bottle dikhaane ke baad Priya ka gussa shaant ho gaya lekin
wo kuch nahi boli
Sameer:- main koi bewda nahi hun jo har wakt sharab aur nasha me duba rahe
jindagi me ek baar hi piya hai maine daru uss din tension bhulaane ke liye piya
tha lekin tumne to bewda hi samajh liya mujhe Sameer ko Priya par gussa to
bohat aa raha tha lekin usne apne gusse ko dabaa kar bola
Priya:- to bhul gaye tum tension kuch nahi hota hai daru pine se ghar ki barbaadi
ka sabse bada wajah yahi hai sharab ki aadat se hi ghar ki saari khusiyan
khatam ho jaata hai aur baaki ke pariwar waalo ko saara mushibat jhelna pata
hai Priya ki aawaj me ek dard tha jisse sun kar Sameer ko pata chal gaya ki
Priya apni papa ki sharab ki aadat ki wajah se dukhi hai
Sameer:- samajh sakta hun Priya tumhaari baat yakin karo Priya aaj se ek pehle
bas ek baar piya tha aur aaj ke baad kabhi haath bhi nahi lagaunga
Sameer ne Priya ki mood badalne ke liye kaha
Priya:- tum kisi ke baat samajhte bhi ho aur tumhaare andar koi feelings bhi hai
ye baat aaj hi pata chala mujhe Priya ne gusse me Sameer ka majaak udaate
hue kaha ek baar fir Priya ki baat ne Sameer ke dil ko bohat chot pahunchaya
lekin Sameer iss baar bhi khaamos raha Priya ko kuch jawaab nahi diya
Priya:- mujhe yakin karne ua nahi karne se kya hota hai tum chaahe jitna bhi piyo
ya mat piyo mujhe koi fark nahi padta bas tumhaare parents ke liye keh rahi thi
unhe tum se kayi umeedein honge kuch soch rakha hoga unhone ki unka beta ye
banega wo banega hamare liye kuch karega hamara sar uncha karega tumne to
pehle hi unhe itna bada jhatka de diya hai abb to kuch karo unke liye iss liye keh
rahi thi jitna ho sake utna dur raho daru se mera pariwaar to bohat pehle hi
barbaad ho gaya tha mere papa ki peene ki aadat se main ye nahi chaahti ki
tumhaari wajah se tumhare pariwar barbaad ho Priya ki aawaj me firse dard tha
Sameer ne iss baar bas uska dard hi mehsoos kiya kuch bola nahi unn dono ki
khaamoshi ko Sameer ke mobile me aa rahe phone call ne toda Sameer ne
dekha Rajesh ka phone tha Sameer ne call uthaya aur chala gaya chhat ke
dusre kone me baat karne
Sameer:- han bol
Rajesh:- kaisa hai abb abb kuch tension to nahi hai na tujhe ek jaroori baat karna
tha
Sameer:- nahi hai abb koi tension chal bata kya kehna hai tujhe
Rajesh:- Shruti ke baare me baat karna hai Shruti ka naam sun kar Sameer
hairaan ho gaya ki Rajesh aakhir usse kehna kya chaahta hai
Rajesh:- yaad hai tune kaha tha ki mere accident ke baad Shruti ne hospital me
aakar tujhe kaha tha ki Priya aur Karan ne mera accident kiya hai aur kisine usse
casette diya hai
Sameer:- han Shruti ne yahi kaha tha lekin baat kya hai
Rajesh:- baat ye hai ki Shruti ko kisne wo casette diya tha abb to mujhe lag raha
hai ki mera accident me kisi ka saajish tha pehla shak mera Shruti par hai Rajesh
ki aawaj me thoda gussa tha to Sameer ki chehre me hairaani
Sameer:- tu Shruti par kaise shak kar sakta hai yaar usne to wohi kaha jo usko
uss cassette dene waale ne kaha tha tera accident karke Shruti ko kya mikega
Rajesh:- to fir Shruti ko pucch kisne diya tha wo casette chhodunga nahi jisne
mera accident kiya hai aur tera aur Priya ka aisa haal bana diya mujhe to Shruti
par hi shak ho raha hai ya to usne mera accident karwaya hai ya fir mera
accident ka faaida uthaa kar tujhe Priya aur Karan ke khilaaf bhadkaaya hai agar
wo nirdosh hai to Shruti ko bol jisne usse casette diya hai usko mere saamne
laane ke liye agar kisi ne mera accident saajish ke roop me kiya hai to bilkul
chhodunga nahi usse chaahe wo Shruti ho ya koi aur mera life ko majaak
samjhaa hai kya Rajesh ne behad gusse me kaha usse shak tha ki Shruti ne
Priya ke khilaaf saajish kiya hai ye baat wo Sameer se directly keh to nahi sakta
tha aur usse pura bharosha bhi nahi tha iss baat par bas shak hi tha aise me
usse yahi idea sahi laga aur usne Sameer ko bata diya
Sameer:- bohat jald baat karunga Shruti se 4 ya 5 din me agar abhi usse ye
pucha to usko bura lagega ki main uss par shak kar raha hun 4 ya 5 din ruk uske
baad main uss casette waale ko nahi chhodunga usne do galti kiya hai ek tujhe
maarne ki koshish aur dusra Priya aur Karan ke khilaaf saajish abb to mujhe bhi
yakin hai ki Priya ka iss khel me koi haath nahi hai
Rajesh:- ok Sameer thik hai agar Shruti iss sajish ke piche to bilkul accha nahi
hoga uske liye
Sameer:- accha thik hai itna keh kar Sameer ne phone rakh diya aur gusse me
sochne laga
Sameer:- (in his mind) pata nahi ye dono Shruti aur Rajesh kyu ek dusre se iss
tarah bartaaw karte rehte hai hamesha ek dusre par shak karte rehte hai bohat
baar samjhaaya dono ko lekin fir bhi koi fark nahi padta inhe inn dono ki ladaai
me main ghut ta jaa raha hun itna sochne ke baad Sameer ne Priya ki taraf
dekha jo kisi gehre soch me dubi hui thi Sameer idhar udhar kuch der tehalne
laga kareeb 10 minute baad usne fir Priya ko dekha Priya abhi bhi gehri soch me
dubi hui thi bilkul 10 minute pehle ki tarah Sameer Priya ke paas gaya aur
hairaani se pucha
Sameer:- kya soch rahi ho? Sameer ki baat se Priya wapas hosh me aayi lekin
usne nahi suna Sameer ne kya pucha usne Sameer ko dekha aur aankhi se hi
pucha usne kya kaha tha
Sameer:- kya soch rahi ho? bohat der se gehri soch me dubi hui ho?
Priya:- aane waale kal ke baare me kaise divorce tak ka time bitega bohat wakt
hai divorce ke liye abb apne room me hamesha kaid to nahi reh sakti baahar
nikalte hi tumhaara manhoos chehre ka darshan hi hi jaayega issi liye soch rahi
hun ki kaise bitega divorce tak ka ye mushkil wakt Priya ki iss baat ne bhi
Sameer ko firse chot pahunchaaya hamesha ki tarah is baar bhi wo chup raha
lekin khud par usse bohat gussa aaya
Sameer:- (in his mind) galti mera hi hai jo isse kuch puch liya shaant rehna hi
mere liye accha hai aage bolne se pehle jaroor 10 baar sochunga kuch der ki
khaamoshi ke baad Sameer ne kaha
Sameer:- itna bhi naalayak nahi hun main study complete ho gaya hai ek job
karne ka soch raha hun din bhar mere manhoos shakal nahi dekhna padega raat
me dinner ke time hi dekhna padega usse jyada pareshan nahi karunga itna keh
kar Sameer ne apna chair aur coke ke bottle utha kar niche le jaane laga Priya
bas Sameer ko jaate dekhti rahi wo Sameer me aaya badlaaw ko dekh rahi thi jo
Sameer uski har choti choti baato par jawab deta tha aaj uska itna majaak
udaane ke baad bhi chup hai lekin uske dhyan ko uske mobile me aa rahe phone
call ne toda mobile screen me dekha to Divya ka phone tha
Divya:- kaisi hai Priya? phone uthaate hi Divya ne Priya se pucha
Priya:- abhi tak thik hi hun Priya ki aawaj me koi bhaaw nahi tha Divya ko laga ye
accha mauka hai usse baat karne ka aaj Priya Divya se gussa nahi thi
Divya:- waha par maahaul kaisa hai Sameer ke parents ne kuch kaha tujhse?
Sameer kaisa behave kar raha hai tere saath? sab kuch thik to hai na waha
Divya ne fikar ke saath pucha
Priya:- koi taklif nahi hai rehne me Sameer ke parents ne mujhe to kuch nahi
kaha lekin Sameer se bohat naraaj hai Sameer ne mujhe bata diya kis wajah se
usse ye shaadi karna pada usse pata chal gaya hai usne kitna bada bhool kiya
hai khud se sharminda hai wo bohat baar maafi bhi maang liya mujhse lekin
main usse maaf nahi karungi usne maafi laayak galti nahi kiya hai Priya ne gusse
me jawaab diya
Divya:- wo itna bhi bura nahi hai yaar jitna tu samajh rahi hai usse apna bhool
pata chal gaya hai aur sharminda bhi hai to tujhe maaf kar dena chaahiye usse
Divya ne Priya ko samjhaane ki koshish kiya
Priya:- jaanti hun wo dil ka bura ladka nahi hai lekin fir bhi main usse maaf nahi
kar paaungi main usse iss galti to kya kisi galti ke liye bhi maaf nahi karungi
Divya:- accha thik hai tera life hai jo marzi decision le abb aage kya karegi tu
mera matlab aage kya socha hai tune
Priya:- Sameer se divorce ke liye kaha aur wo bhi maan gaya bas kisi tarah
divorce tak ka wakt nikal jaaye uske baad naya jindagi ka suruwat karungi
Divya:- divorce itna jaldi ye faisla le liya tune Divya Priya ki iss divorce wali baat
se shocked ho gayi thi
Priya:- han aur bohat sahi decision hai iss shaadi se koi khush nahi hai to kya
matlab iss shaadi ka ham dono ka alag ho jaana hi accha rahega issi me sabhi
ka khusi hai
Divya:- main bhi yahi chaahti hun ki tu khush rahe mujhe to Karan par bohat
gussa aa raha hai kaisa pyar hai uska jo tujhe aisi haalat me chhod kar kisi aur
se shaadi kar liya mujhe to uss par pehle se hi shak tha ki wo tujhse saccha pyar
nahi karta hai Karan ka naam sun kar Priya ko bohat bura laga usko ek dard
uske dil me mehsoos hua aut aankho ke saamne Karan ka chehra ghum gaya ek
baar fir Karan ka bewafai se Priya ki aankho me aansu aa gaya
Priya:- please Karan ke baare me baatat kar usse yaad karke sirf dard hi milega
bohat galat insaan se pyar kar liya yaar maine kitna ghatiya soch aur pyar hai
uska itna kehkar Priya chup ho vayi aur apni aankho ke aansu pocha Divya ko
laga usne galat baat galat wakt me keh diya
Divya:- sorry yaar mujhe nahi pata tha uska naam lete hi tujhe itna bura lagega
Priya:- maafi mat maang yaar tu tune koi galti nahi kiya hai mera kismat hi aisa
hai to kya kar sakti hun abhi abhi pyar tuta hai bohat bura lagega khudko
sambhalna bhi kaafi mushkil hai lekin wakt ke saath sab kuch thik ho jaayega
waise bhi acha hi hua ki galat insaan ka niyat wakt rehte pata chal gaya Priya ne
khud ko sambhaal kar kaha Divya ne iss baat ka koi jawaab nahi diya kuch der
chup rehne ke baad fir Priya ne kaha
Priya:- sorry Divya baato baato me bhul hi gayi tujhe thanks bolna thanks a lot
Divya jo tune mere liye itna kuch kiya tune aur maa ne mere liye jo kuch bhi kiya
usse main kabhi nahi bhula paaungi ek saccha dost ka farz nibhaaya hai tune
aur meri jindagi ko bacha liya barbaad hone se Priya ki baato me Divya aur apni
maa ke liye bohat respect tha
Divya:- ye sab maine apna farz nibhaaya hai mujhe afsos hai ki Karan ke baare
me apna shak pehle nahi bataya agar bataati to aaj tera dil nahi tut ta
Priya:- maa kaisi hai abb maine bohat galat behave kiya unke saath vidaayi ka
wakt me mujhe aisa nahi karna chahiye tha Priya ne baat ko badalte hue kaha
Divya:- dekhne me to thik hai bas andar hi andat unhe tera fikar hai tere baare
me hi puchti rehti hai tera unse naraajgi se wo bohat pareahaan hai bas ek baar
unse baat karle aur keh de ki sab kuch thik hai unka ye tension dur ho jaayega
aur khush ho jaayengi ye jaankar ki tujhe koi taklif nahi hai
Priya:- karti hun thodi der me baat kiye hue bhi bohat din ho gaya maa se aur
unke saath bohat galat kiya iss baat ki sharmindagi bhi hai mujhe
Divya:- accha chal abb rakhti hun phone koi taklif to nahi hai na Sameer se mera
matlab Sameer kaisa behave karta hai tujhse Divya phone rakhne hi wali thi ki
usse Sameer ki baat yaad aa gaya
Priya:- jyada kuch nahi bolta hai kabhi kabhi maafi maang leta hai aur abb kuch
bhi baato ka jawaab bhi nahi deta hai ekdam shaant ho gaya hai apni galti ka
ehsaas hote hi saara ghamand toot gaya hai uska Priya ki aawaj me abhi bhi
Sameer ke liye nafrat aur gussa tha aisa lag raha tha ye nafrat gussa itni jaldi
khatam nahi hone waala hai jab tak koi chamatkaar na ho jaaye
Divya:- pata nahi yaar tu aur Sameer kyu ek dusre se itna nafrat karte ho tum
dono me se koi galat nahi hai fir bhi choti baato ne tum dono ko ek dusre ka
dushman bana diya
Priya:- jaanti hun wo dil ka bura nahi hai lekin mujhe uska ghamand gussa aur
mere saath jaisa behave karta hai wo mujhe bilkul pasand nahi hai college me
chhoti chhoti baato ke liye kitna ladta tha mujhse aur sabke saamne majaak
bana deta tha aur usne jo mere khilaaf saajish kiya hai jisme wo khud fas gaya
iske baad to shaayad hi main usse maaf kar paaungi
Divya:- accha accha thik hai shaant ho jaa itna gussa hokar apna mood kharab
mat kar jaisa tujhe thik lagta hai waisa kar aur han abb divorce ke baad sab kuch
thik hone waala hai bas Sameer se pyar mat kar lena warna bohat pachtaayegi
wo tere liye nahi hai Divya ne last ki line hass kar kaha Priya bhi samajh gayi ki
Divya majaak kar rahi hai
Priya:- impossible itna keh kar Priya ne phone kaat diya dono saheli ke bich ka
relation fir thik ho gaya tha Divya ko Priya ki baat sun kar bohat accha laga ki wo
sahi salamat hai apne sasuraal me iske baad Priya ne lagh bhag aadha ghante
tak apne maa se baat kiya dono hi maa beti ko bohat sukoon mila ek dusre se
baat karke Priya ki maa ko bhi bohat khusi hui ye jaan kar ki unki beti abb unse
naraaj nahi hai aur wo sahi salaamat hai Priya ko bhi apne maa aur Divya se
baat karne ke baad bohat sukoon mila aur usne ghadi dekha raat ka 11:00pm baj
raha tha iske baad wo bhi sone bed me chali gayi
Agle din lunch karne ke liye Mr and Mrs Sharma pehle se hi baithe the table me
Priya bhi waha maujood thi bas Sameer hi aana baaki tha waha sabhi Sameer
ka wait kar rahe the kuch der baad Sameer aaya ready hokar usne ek suit pehna
tha aur acche se taiyaar hua tha wo aaj apne job dhundne jaa raha tha lekin iss
baare me kisi se baat nahi kiya tha usne Mr Sharma ko kuch samajh nahi aa
raha tha ki Sameer kyu iss tarah se taiyar hua hai aur kaha jaane ka soch raha
hai Sameer bhi lunch karne ke liye table ki taraf badha sabhi ki aankho me
hairaani dekh kar usse samajh nahi aa raha tha ki kis tarah se wo apni baat
kehna shuru kare wo kuch bolne hi waala tha ki Mr Sharma par uska najar chala
gaya jo usse ghur kar hairaani se dekh rahe the Sameer ko laga ki wo gussa hai
aur Sameer ne jo bhi himmat kiya tha bolne ka wo ek pal me gaayab ho gaya
Sameer kuch der apne papa ko dekhta hai lekin Mr Sharma kuch nahi kehte hai
bas Sameer ko dekhte rehte hai aur Sameer ki get up ke baare me sochte hai
Sameer bhi chair me baith kar lunch karne lagta hai Sameer ko khud par hi bohat
gussa aa raha tha bas kuch din pehle hi ki to baat tha jab wo apne papa se dost
jaise baat karta tha jo bhi baat ho wo khul kar apni papa se kehta tha uska papa
bhi uska har baat me saath dete the wo bhi Sameer par utna hi bharosha karte
the jitna har baap apne beta par Sameer ne bhi bohat kam shikaayat ke mauka
diya tha unhe lekin Sameer ki iss ek badi galti ne baap aur beta ke rishte me
bohat bada dooriyan badha diya life me pehli baar aisa hua ki Sameer ko apne
papa se baat karne me itna dar laga ho Sameer sharm aur dar se apne papa se
kuch nahi keh paata tha to Mr Sharma Sameer ko uski galti ka ehsaas dilaane ke
liye kuch dino tak usse acche se baat nahi karne ka soch rahe the unhe pata tha
ki agar kuch din tak wo Sameer se issi tarah se berukhi se baat karenge ya baat
nahi karenge tab Sameer ko pata chal jaayega kitna bada galti kiya hai usne
Sameer:- papa main office join karne ka soch raha hun aajse kuch der ki
khaamoshi ko todkar Sameer ne kaha usne bohat bechaini ke saath Mr Sharma
se najar churaate hue kaha wo Mr Sharma ke jawaab ka bechaini se intejaar kar
raha tha
Mr Sharma:- accha baat hai main bhi tujhse issi baare me baat karne waala tha
abb office jaane lagega to jimmedaariyon ka ehsaas hoga tujhe aur tera dhyan
kisi se badla lene ki jagah kaam par lagega Mr Sharma ka ye baat sun kar
Sameer ko bohat buraa laga lekin usne khud ko majboot bana liya aur apna dard
chipa liya Sameer ne jaldi se apna lunch kiya aur apne room me waapas chala
gaya Mr Sharma ko laga shaayad unhone kuch jyada hi keh diya Sameer ko
unhe bhi bohat bura lag raha tha Sameer ko iss tarah udaas jaate dekh kar apna
lunch karke Priya bhi chup chaap apne room ki taraf nikal gayi usse bhi Sameer
ke liye bohat bura lag raha tha wo bhi apne room me jaakar abhi kuch der pehle
hua lunch time ki baatein yaad karne lagi usse bhi laga shaayad Sameer ko
jarurat se jyada saza mil raha hai usne dekha tha Sameer ko shaadi ke baad
kaise wo ghut ghut kar jee raha hai har pal usne Sameer ko pareshaan dekha
hai khud ki najro me girta hua dekha hai wo Sameer se nafrat to karti thi lekin aaj
Sameer ka chehre me jo dard dekha tha usse dekh kar wo bhi sochne par
majboor ho gayi ki kya sach me Sameer ko jo saja mil raha hai wo uski bhool ke
barabar hai ya usse jyada kuch der sochne ke baad usne khud se hi kaha
Priya:- han galti to usne kiya hai jiska shaayad koi maafi nahi hai aur shaayad hi
main kabhi usse maaf kar paau lekin usne jo kiya anjaane me kiya nafrat me
aakar usne aisa kiya nafrat to insaan se kuch bhi karwa sakta hai aur Shruti ne
bhi koi kami nahi chhoda usko aur bhadkaane me jo bhi hua Shruti ki wajah se
hua uska chaal ka ek mohra hai Sameer lekin Sameer itna bhi buraa nahi hai jab
usko apni galti ka ehsaas hua khud ko fasa liya usne apni galti ko sudhaarne ke
liye usse apni galti ka ehsaas ho gaya aur pacchta bhi raha hai kabhi palat kar
mujhe aur apne papa ko jawaab nahi diya apna galti maan raha hai insaan bura
nahi hai Sameer bura banaya hai usko Shruti ne Shruti ki baato me aakar usne
ye sab kiya aaj bhi yaad hai wo din jab Sameer ne mujhe ragging se bachaya tha
aur Neha ka uss photo ke case me bhi insaaniyat to hai usme aur ek sacche dil
insaan bhi lekin uski galti ka saja mujhe bhugatna pad raha hai shaayad main
usse uske iss galti ko kabhi maaf na kar paau lekin uska ye hadd se jyada sajaa
milte nahi dekh sakti mujhe Sameer ke parents se baat karna hoga iss baare me
aur kahungi ki abb Sameer ko kuch mat kahe kisi bhi insaan ka sehne ka ek limit
hota hai agar uss limit se jyada ho gaya to kuch bhi ho sakta hai jaanti hun ki
Sameer kuch nahi bol raha hai lekin andar hi andar bohat ghut raha hai aur aise
hi ghut ta raha to bilkul bhi accha nahi hoga iske liye khud ki hi parents usse
naaraj hai uski iss anjaane me hui galti se abb aur nahi jitna hona tha ho gaya
mil gaya hai usse uske kiye ki sajaa Priya ne bas itna hi kaha tha ki usne Sameer
ko gate ke paas se jaate hue dekha Priya ne Sameer ki aankho ko dekha tha jo
ekdam laal ho gaye the jisse dekh kar hi pata chal raha tha ki wo bohat roya hai
pehli baar Priya ko Sameer ka dard dekh kar bura lag raha tha
Dusri taraf Sameer apne papa ki kadwi baatein sunne ke baad sidha apne room
ke bathroom me gaya aur joron se rone laga usse khud se nafrat hone laga tha
uss wakt wo ye bhi bhul gaya tha ki kal usne apne maa se kya baatein kiya tha
aur kaise uske maa ne usse khud ko majbokt banaye rakhne ka hausla diya tha
iss wakt Sameer ko lag raha tha ki duniya ki sabse bura insaan wohi hai jisse
sabhi naaraj hai aur nafrat karte hai issi tarah kuch der rone ke baad usse yaad
aaya ki aaj usse job dhundne bhi jaana hai wo turant apna mouh dhokar nikla
office jaane ke liye niche hall me jaane ke liye Priya ki room raaste me aata tha
jab wo niche hall ki taraf jaa raha tha uss time Priya ka room ka gate khula hua
tha tabhi Priya ne Sameer ki laal aankh dekh liya tha niche hall me pahunchte hi
apne maa aur papa se chehra chupaane ke liye usne ek kaala(black) sunglass
laga liya aur nikal gaya office ke liye
Sameer raat me apne ghar waapas lauta ghar me aate hi wo dining table me
baith gaya aur dinner karne laga kisi se kuch baat bhi nahi kiya aur uske chehra
dekh kar kisi ko samajh me nahi aa raha tha ki wo khush hai ya dukhi bina kisi se
baat kiye wo khud dinner paros kar khaane laga Mr Sharma Sameer se baat
karna chaahte the lekin kar nahi paa rahe the Mrs
Sharma ne socha ki Sameer ke dinner kar lene ke baad usse baat karengi lekin
Sameer dinner karne me baad waha se chup chaap nikal gaya sabhi piche
hairaan hokar Sameer ko dekhte rahe dinner karne ke baad Priya bhi apne room
me chali gayi wo fir se Sameer ki iss harmat ke baare me sochne lagi usse
Sameer ka iss behavior bohat hi ajeeb lag raha tha Sameer ko usne maaf to nahi
kiya tha lekin Sameer ka fikar usse ho raha tha ki Sameer frustration me kuch
galat na kar le wo Sameer ke baare me yahi sab soch rahi thi ki kisi ki kadam ki
aahat usse sunaayi diya Priya ko samajhte der nahi laga ki ye Sameer bai jo kahi
jaa raha hai Priya samajh gayi ki Sameer chhat ki taraf jaa raha hai Priya ne bhi
socha ki wo bhi chhat me jaakar Sameer se baat karegi Priya ke liye iss wakt
Sameer se nafrat aur khud ka dard se jyada Sameer ke liye fikar tha ki wo kuch
galat na kar le Sameer ke baare me aisa kyu soch rahi hai wo usse khud nahi
pata tha jab wo chhat par pahunchi to Sameer ko dekh ek baar fir chaunk gayi
iss baar Sameer chhat ke ek kone me khada hokar muskura raha tha lekin
chehre me koi bhaaw nahi tha Priya ko samajh me nahi aa raha tha ki aakhir
Sameer ko hua kya hai aur kyu aise behave kar raha hai yahi sab sochte hue wo
Sameer ki taraf chalte hue thik uske piche pahunch gayi Sameer ko jab ehsaas
hua ki uske piche koi hai tab usne mudkar dekha piche Priya thi Priya ko dekhne
ke baad Sameer waapas mud kar upar aasman ki taraf dekhne laga chehre me
abhi bhi halka muskaan tha
Priya:- aise kya dekh rahe ho aur iss muskaan ki koi wajah? kuch der Sameer ko
drkhne ke baad bhi jab Priya ko Sameer ki iss harkat ke baare me samajh nahi
aaya tab usne pucch liya
Sameer:- khud ko jaane ki koshish kar raha hun dekhna chaahta hun kitna taakat
hai mujh me aaj jindagi me pehli baar khud se lad raha hun main dekhna
chaahta hun khud se jeet paaunga ya nahi Sameer ne muskuraate hue kaha
Priya:- kya matlab? main kuch nahi samjhi Priya ne hairaan hokar kaha
Sameer:- jindagi me pehli baar ehsaas hua hai ki maine koi aisa galti kiya hai jo
mujhe nahi karna chaahiye tha sabhi mere iss galti ki wajah se naraaj hai khud
mujhe hi apne upar gussa aa raha hai aaj tak kabhi khud par itna gussa nahi
aaya jitna abhi aa raha hai kabhi khud ko galat tak nahi maana tha dimaag me
kayi tarah ki baatein aa rahe hai khud pata nahi agle pal kya kar baithunga bas
maa ne himmat diya musibato ka saamna karne ka nahi to pata nahi kab tak aise
hi akela ghut ta rehta kisi tarah khud ko sambhal raha hun aur khud se ladne ka
koshish kar raha hun ki apne dimaag par kaabu karke shaant reh saku Sameer
ne muskuraate hi kaha lekin uska muskaan uska dard chupa nahi paa raha tha
Priya ne kuch nahi kaha
Sameer:- sabse jyada mujhe papa ka naarajgi khal raha hai jaanta hun papa
apni jagah bilkul sahi hai galti hi maine aisa kiya hai ki shaayad hi wo mujhe
maaf kar paayenge upar se unka vishwaas bhi toda hai apna iss bhool ko
sudhaarna chaahta hun jo maine khoya hai iss bhool karne ke baad wo sabhi
waapas paana chaahta hun tumhaara maafi maa aur papa ka vishwas maafi aur
saath Shruti ka saath aur sab kuch sabhi ki najro me firse uthna chaahta hun
jaanta hun ye bilkul bhi aasan nahi hai koi mauka bhi nahi hai mere paas lekin
mujhe khud hi raasta nikaalna hai aur nikaal ke rahunga aage bhi mujhe bohat
musibato ka saamna karna hai aur iss musibat ka saamna karne ke liye bohat
dhairya chaahiye khud ko shaant karne ke baad hi kuch samajh paaunga ki aage
kya karna hai koi bhi kaam karne ke liye dimaag shant rakhna bohat jaruri hai aur
abhi wohi kar raha hun chhat me thandi hawa khaane aaya hun aur mood bhi
fresh ho jaayega aur muskuraate hue apni saari tension bhul jaana chaahta hun
taaki naya suruwaat kar saku Sameer ki baat sun kar Priya ne mehsoos kiya ki
Sameer iss bhool se kitna parshaan hai aur kitna ghutan mehsoos kar raha hai
Sameer ki dard ko wo saaf mehsoos kar samti thi ek baar to Priya ne socha ki
Sameer ko bata de ki jab tak Shruti ka saath rahega jindagi bhar aisi kayi
galtiyaan karta rahega Shruti ko bohat acche se pehchan liya tha Priya ne lekin
Priya ne Sameer ko ye baat nahi kaha usse pata tha ki Sameer uska ye baat par
bilkul yakin nahi karega aur Sameer se kehne se koi faaida nahi hoga
Sameer:- tumhe lag raha hoga ki main ye sab tumhaare saamne keh kar accha
banne ka naatak kar raha hun na Priya ko aise chup dekh Sameer ne Priya se
kaha Sameer ko Priya ki khaamoshi khal raha tha Sameer dil ki gehraai se Priya
ko apne galti ki baat keh raha tha lekin Priya ka ise ignore karke chup rehne se
Sameer ko bohat buraa lag raha tha
Priya:- nahi jaanti hun tumhe sach me apni galti ka ehsaas hai Priya ki baat sun
kar Sameer ko apne jakhm par thoda raahat mila
Priya:- abb tumhe aur pareshaan hone ki jarurat nahi hai maine baat kar liya hai
tumhaare parents se aur bata diya hai ki tum apne galti ke liye kitna pacchta rahe
ho aise me kuch dino ke liye tumhe kuch na kahe Priya ki baat sun kar Sameer
firse muskuraaya lekin Priya Sameer ka ye muskaan ka arth samajh nahi paayi
Priya ne Sameer ko aankho ke ishaare se hi puccha ki uska ye muskaan ka
matlab kya hai
Sameer:- aakhir tumhe bhi mujh par taras aa hi gaya na Sameer ne wohi
muskaan ke saath kaha
Priya:- nahi ye taras khaane waali baat nahi hai mujhe jo sahi laga wohi kiya
mujhe laga tumhaare saath galat ho raha hai aur tumhe apni galti se bhi jyada
saja mil raha hai iss liye maine wohi kiya jo mujhe karna chaahiye tha
Sameer:- waise bhi koi galat nahi keh rahe the papa apni jagah bilkul sach hai
jaanta hun wo mujhse kadwi andaaj me baat jarur karte hai bas iss baat ka
ehsaas dilaane ke liye maine choti galti nahi kiya hai abb mera saath dekar to wo
mera galti ko badhaawa to nahi denge unhe jo karna chaahiye wo wohi kar rahe
hai mujhe papa se koi shikaayat nahi hai galti mera hi hai to kaisi shikaayat unse
bas agar mujhe shikaayat hai kisi se to wo main hun mera iss galti ne unka sar
jhuka diya aur maine unka mujh par jo bharosha tha wo kho diya Sameer ki
aawaj me khud ke liye nafrat tha jise Priya ne mehsoos kar liya usse laga ki iss
baare me baat karne se abb koi faaida nahi ulta tension aur badhta jaayega kuch
der ki khaamoshi ko tod kar Priya ne baat badal kar kaha
Priya:- job mila?
Sameer:- han abhi ek chota sa job hi dhunda hai haalat sambhal jaane ke baad
ek accha sa job dhundunga ye kehne ke baad Sameer niche apne room me
jaane laga kuch kadam aage badhaya hi tha ki ruk gaya aur picche mud kar
Priya ke paas aa gaya aur kaha
Sameer:- ek baat kehna hai aur pucchna bhi hai tumse Sameer ki baat sun kar
Priya ko thoda hairani hua wo soch rahi thi ki abb Sameer usse kya kehne wala
hai usne chehre ko haa me hilaa diya
Sameer:- aaj ek ladki mili thi office me usne jo baat kaha tha mujhse ussi baare
me discuss karna hai Sameer ki baat sun kar Priya ko bohat hairaani hua
Sameer kisi ladki se hui baato ko uske saath kyu karna chaahta hai ye baat Priya
ko samajh nahi aa raha tha lekin Priya kuch nahi boli bas Sameer ki baat ka
intejaar kar rahi thi
Sameer:- aaj office join karne ke baad mera sabhi se intro hua office jyada bada
nahi tha to sabhi se jaan pehchaan kar liya naasta karne ke time me jab main
canteen me ek chair par baitha tha tab ek ladki aayi mere paas uska naam Anjali
tha sure hokar to nahi keh sakta lekin uski harkato ko dekh kar mujhe lagta hai
shaayad wo meri taraf attracted thi aate hi baat karna suru kiya usne
Anjali:- hi Sameer
Sameer:- hi
Anjali:- aise akele kyu baithe ho?
Sameer:- bas aise hi kisi se accha jaan pehchaan nahi hai sab apne me hi busy
hai iss liye socha akele baith kar hi naasta kar lu (pata nahi kyu mujhe uski
aankho me apne liye kuch ajeeb sa dikh raha tha aisa lag raha tha wo meri taraf
attracted hai lekin mujhe usme koi interest nahi ignore karne ke liye maine usse
najar hataa kar keh diya ki akele naasta karne ka soch raha hun)
Anjali:- (idhar udhar najar ghumaate hue) kitne saare log akele baithe hue hai aur
tum keh rahe ho ki sab group me hai usne hairaani ke saath kaha pata nahi kyu
mujhe uski baat bohat irritate kar raha tha ek to pehle se itna tension aur upar se
ye Anjali aur dimaag kharaab kar rahi thi maine bhi rukhapan se jawaab diya aur
baat ko khatam karna chaaha
Sameer:- abb aa gaye honge
Anjali:- tum se pehle hi main yaha canteen me hun tum khud akele baithne yaha
chale aaye
Sameer:- main akele rehna chaahta hun iss liye yaha aakar baith gaya tumhe koi
problem hai iss baar gusse par control nahi kar saka aur thoda tej aawaj me
jawaab diya
Anjali:- nahi koi problem nahi hai itna kehkar wo chup ho gayi uski aawaj se lag
raha tha shaayad wo buraa maan gayi hai abb ek khaamoshi tha ham dono ke
bich pehle hi ek tension aur upar se uski bak bak uske chup rehne ke baad ek
sukoon mila lekin usse ye manjoor nahi tha
Anjali:- arre you single? usne thoda darte hue kaha uske kehne ke tarike se lag
raha tha ki jo baat wo bohat der se pucchna chaahti hai wo usne pucch liya lekin
uski iss sawaal ne mujhe chaunka diya kuch pal usko dekhta raha aur samajhne
ki koshish karne laga ki uss ladki ne ye sab kyu puccha uski aankho me dekha to
fir se apne liye attraction dikha uski aankho se najre hataa kar jawaab diya
Sameer:- no maine firse berukhi se jawaab diya kuch der tak fir hamaare bich koi
baat nahi hua maine uska chehra dekha to uska chehre ka rang jaise udd gaya
tha kuch der tak wo chup rahi fir achanak utth gayi aur kaha
Anjali:- agar break up ho jaaye to bata dena itna keh kar wo chali gayi main wohi
baitha uski baat ka matlab sochne laga aur sochta hi reh gaya jab soch se
baahar nikla tah ek baar uske saath baat karna chaahta tha lekin wo fir nahi mili
itna keh kar Sameer chup ho gaya aur Priya ko dekhne laga Priya bhi kuch der
Sameer ko hairaani se dekhti rahi aur kaha
Priya:- tum ye sab mujhe kyu bata rahe ho? Priya ki aawaj me bas hairaani tha
wo soch rahi thi ki Sameer uake saath iss baare me kya baat karna chaahta hai
Sameer:- uss ladki ki kuch baatein hai jo samajh nahi saka uss baare me
shaayad mujhse jyada tum iss baare me jaanti ho Sameer ki baat ne Priya ko fir
uljhan me daal diya Priya jitna samajh saki bas usa baat ka jawaab diya usne
Priya:- arre isme samajhne aur na samajhne ki kya baat hai tum khud hi to keh
rahe ho ki tumhe lagta hai wo ladki tumhaari taraf attracted hai jaahir si baat hai
wo tumse pyar karti hogi iss liye usne kaha Priya ne Sameer ki baat par
frustrated hokar kaha Sameer ki baat me usko bewkoofi najar aaya itna aasan si
baat wo samajh nahi paaya aur uska time waste kar diya
Sameer:- ye to mujhe bhi lagta hai mi shaayad wo mujhse pyar karti hai lekin
main tumse ye sawaal nahi puch raha tha Sameer ki iss baat ne Priya ki gussa
bohat badha diya lekin kisi tarah control marke wo Sameer ki baat ka intejaar
karne lagi
Sameer:- mehsoos to nahi kiya lekin suna hai pyar ke bohat rang hote hai pyar
karne ka andaaj sabhi ka alag alag hota hai pyar kisi se bhi kisi bhi tarah se ho
jaata hai lekin ye samajh nahi aa raha hai ki Anjali ka ye kaisa pyar tha jitna
maine pyar ko jaana hai uske baare me suna hai aise pyar ke baare me mujhe
kuch nahi maalum issi baare me tumse baat marna tha tum ne Karan se pyar
kiya hai pyar ko mehsoos kiya hai mujhse jyada jaanti ho pyar ke baare me to
tumhe kya lagta hai kya aisa bhi pyar ho sakta hai jo Anjali shaayad mujhse kar
rahi hai kya pehli najar ka pyar bhi itna laalchi aur khudgarz hota hai ki apne pyar
paane ke liye log dusro ka pyar ya jodi tut jaaye aisa pray karte hai? Sameer ne
apni uljhan abb khul kar Priya ko bata diya aur Priya ki jawaab ka intejaar karne
laga Sameer ki baat ne anjaane me hi sahi fir se Priya ko Karan ki yaad dilaa
diya Priya Karan ko jitna bhulne ki koshish kar rahi thi utna hi wo kisi na kisi
wajah se yaad aa hi jaata tha pehla pyar ko bhulaane ki koshish ek baar fir
nakaam ho gaya Karan ki yaad aate hi Priya ko fir se ek dard mehsoos hua thik
waisa hi dard jo har ek insaan mehsoos karta hai apna pehla pyar tutne par Priya
to Sameer ki taklif kam karne ke liye aayi thi lekin ulta Sameer ne hi anjaane me
Priya ko uski adhuri pyar yaad dila kar ek dard diya lekin Priya ne Sameer ko
apna dard na dikhaate hue chhidh kar jawaab diya
Priya:- mujhe nahi pata aise pyar ke baare me maine kabhi kisi ke liye bura nahi
chaaha maine to Karan se saccha pyar kiya tha mera pyar kabhi khudgarz aur
laalchi nahi tha Priya ne chhidhte hue jawaab diya aur apna najar dusri taraf
ghuma liya
Sameer:- maine kab kaha tumhaara pyar me khudgarzi aur laalach tha maine
bas ye sawaal puccha tha ki pehli nazar ka pyar me bhi khudgarz aur laalach
hota hai kya? chalo chhodo ye baatein tumhe bhi iss baare me kuch pata nahi
Sameer ki iss baat par Priya ne koi jawaab nahi diya wo dusri taraf hi dekhti rahi
kuch der idhar udhar dekhne ke baad usne Sameer se puccha
Priya:- lekin ye sab tum mujhse kyu keh rahe ho aur kyu puch rahe ho tum bhi
kisi se pyar karlo aur khud jaan jaoge Priya ki aawaj me abhi bhi thoda frustration
tha abhi bhi Priya ko Sameer par gussa aa raha tha Karan koi baat karne ki
wajah se
Sameer:- niche room ki taraf jaa hi raha tha ki office wali baat yaad aa gaya issi
liye puch liya tumse aur jaana chaahta tha ki tum iss baare me kya sochti ho
Priya:- to tum aise hi tumhaari har personal baatein mere saath karke mera
dimaag kharaab karoge Priya ki gussa Sameer ki baato se aur badh raha tha
Sameer:- sorry pata nahi tha tumhe meri baat itna bura lagega maine just friendly
tumse ye baat puch liya tha Sameer ki baat sun kar Priya chaunk gayi kuch pal
Sameer ko dekh kar usne kaha
Priya:- friend tumhara dimaag kharaab ho gaya hai kya ham kab friend bane jo
tum mujhse friendly baat kar rahe ho? Priya ko pehle se Sameer par gussa aa
raha tha upar se Sameer ki baatein uska gussa aur badha raha tha Sameer ko
bhi Priya ki aisi unchi(tej) aawaj me baat karne se gussa aane laga tha lekin wo
kisi tarah apne upar control kar raha tha
Sameer:- main soch raha tha ki jab tak tum yaha rehti ho tab tak tum se acche se
behave karu matlab friendly tarike se uske baad to ham kabhi ek dusre ko
dekhenge bhi nahi to fir kya faaida aur ladne se ye baat main jaan gaya hun ki
tumhaari koi galti nahi hai suruwaat me bhi jo galatfehmi tha tumhaare liye wo
Karan ki wajah se tha jo main samajh nahi paaya abb wo saari galtiya sudhaarna
chaahta hun issliye soch raha hun jab tak tum yaha rehti ho tab tak tum tum
thoda accha feel karo aaj office me bhi issi baare me soch raha tha bohat sochne
ke baad pata chala ki ham dono ki bich itni saari problem aur dushmani kyu hua
ye sab ki wajah ek misunderstanding tha jisne baad me dushmani ka roop le liya
kuch der chup rehne ke baad mere khayal me hame ye dushmani khatam kar
dena chaahiye ye dushmani kisi baat ka samadhaan (solution) nahi hai jab rak
hamaare bich ye dushmani rahega tab tak hamaare dil aur dimaag me ek bojh sa
rahega bas ek dusre ki galti hi dikhega kabhi ham ek dusre ki acchaayi nahi jaan
paayenge hamaare bich jo bhi galat fehmiyan hain wo sab hamaare dushmani ki
wajah se ham kabhi ek dusre ke dost nahi the ek chhoti si ladaai wo bhi pehli hi
mulaakat me hua tha jis wajah se ham dono ne ek dusre ko galat samajh liya aur
hamaare bich ki dushmani bhi badhta chala gaya uss time dushmani me main
andha ho gaya tha aur tumhaari baare me galat sochta tha jabki tum bilkul bhi
galat nahi thi kabhi apna gussa aur nafrat ki wajah se to kabhi Karan ki wajah se
tumhe galat soch baitha aur thik waisa hi tumne mere baare me jitna tum sochti
thi main utna bura nahi tha lekin hamaara dushmani iss tarah se badh gaya ki
main ye bhool kar baitha ek baar tum ye dushmani bhool kar to dekho mere
baare me jo galatfehmi hai tumhaare wo sab dur ho jaayenge Sameer ne Priya
ko samjahaane ki koshish kiya lekin wo iss baat se anjaan tha ki Priya iss baat
ka kuch aur hi matlab nikaal legi
Priya:- abb tum mujhe sikaaoge mujhe kya karna chaahiye aur kya nahi tum
chaahte ho ki main tumhe maaf kar du tum khud hi bataao tumne maafi laayak
kaam kiya hai kya? mere jindagi ka iss tarah se majaak udaane ke baad keh
rahe ho ki main ye sab bhool jaau aur tumhe maaf karke tumhaara doat ban jaau
wo sab baatein bhool jaau jab tum sabke saamne mujhe beizzat karte the tumhe
abhi bhi apni galti ka ehsaas nahi hua hai issi liye mujhse ye sab baat kar rahe
ho agar tum apni galti maante tab aisi baat mujhse nahi karte abb tumhe kuch
pal sochne ke baad apni galti ka ehsaas hua aur kehte ho ki ye sab
misunderstanding ki wajah se hua tab tumne ye baat kyu nahj socha agar tab
tumhaare paas ye sab baat sochne ka fursat hota to shaayad ye galti tumse nahi
hota nahi hun Sameer main utni mahan jo tumhe maaf kar paau tumhaari iss
galti ko main kabhi maaf nahi kar paaungi aur tum apna comparison Karan se
bilkul mat karna tum se laakh guna accha hai Karan kam se kam tumhaara jaisa
galti to nahi kiya aur tumhe meri fikar karne ki koi jaroorat nahi hai tum sochte ho
ki main akeli bore ho jaaungi to mujhe tumse dosti kar leni chaahiye taaki mera
time acche se kat sake nahi Sameer mujhe tumse koi bhi rishta nahi rakhna
naahi dosti ka aur naahi dushmani ka tum inn me se kuch bhi deserve nahi karte
main to bas itna chaahti hun ki kisi tarah ye divorce tak ka wakt acche se kat
jaaye aur uske baad main free ho jaaungi uske baad mujhe tumse koi matlab
nahi Priya ne bhi gusse me Sameer ko bohat suna diya Sameer pehle se hi apna
gussa control kar raha tha lekin Priya ki iss baat par wo khud par kaabu nahi
rakh saka usse pata chal gaya ki wo gusse me kuch bhi kar sakta hai iss liye
Priya se dur chale jaane me hi usne apna bhalaayi samjha wo teji se chhat ki
dusri kona ki taraf chala gaya aur waha par khada hokar gussa bhari nighaao se
jameen ki taraf dekhne laga Priya bhi Sameer ka ye gussa wala roop dekh kar
kuch samajh nahi paa rahi thi shaadi ke baad pehli baar Sameer ko Priya par
gusaa aaya tha Sameer shaayad Priya ki sabhi baatein seh leta lekin usko Priya
ki uska Karan se compare karne waali baat bilkul bhi pasand nahi aaya Priya ne
Sameer ko Karan se bhi galat insaan keh diya tha jo Sameer se bardaast nahi
hua gusse me usne do jordaar punch diwaal(wall) par maara fir bhi uska gussa
kam nahi hua wo abb sidha Priya ki taraf gusse me aaya usne soch liya abb
bohat hua ek baar Priya se baat karke Priya ka galti bhi dikhaana hoga Priya
pehle se hi Sameer ka ye roop dekh kar hairaan thi aur abb Sameer ka aise
gusse se uski taraf aane ki wajah se aur hairaan ho gayi lekin wo bilkul bhi dari
hui nahi thi kuch pal me Sameer uske paas aaya aur thoda tej aawaj me bolne
laga
Sameer:- maanta hun maine galti kiya hai uss galti se tumhaari life me bohat
bada tufaan aa gaya main tumhaara gunehgaar hun issi liye tum jo kehti ho bina
kuch jawaab diye sunn leta hun kabhi kabhi koi baat dil par chubh jaata hai lekin
fir bhi kuch nahi bolta lekin iska matlab ye nahi ki tum kuch bhi bolo mera
comparison uss ghatiya Karan se kar rahi ho aur mujhe usse bhi bura keh rahi
ho Sameer ki har ek shabd me gussa bhara hua tha pata nahi kaha se aa gaya
tha uske andar ye gussa jo aaj wo Priya par hi utaar raha tha shaayad Priya ka
Sameer ko Karan ke saath compare karne ki wajah se Sameer ke self respect ko
bohat gehra chot lag gaya tha Priya bas Sameer ko dekh rahi thi usne kuch
jawaab nahi diya agar insaan jyada gussa me ho to kabhi kabhi uske dil me daba
hua baat bhi nikal jaata hai Priya ko pata tha ki Sameer abhi bohat gusse me hai
agar Sameer gussa me kuch bolega to uska dil se bhadaas bhi nikal jaayega aur
Priya ko pata bhi chalega ki Sameer uske baare me kya sochta hai Priya ye
jaana chaahti thi ki Sameer kahi abhi bhi usse nafrat to nahi karta hai aur kahi
accha banne ka naatak to nahi kar raha hai issi liye Priya ne Sameer ko bolne
diya
Sameer:- tum kehti ho na ki tum Karan se pyar karti ho waah bohat sacha pyar
hai tumhaara sorry sorry saccha nahi andha pyar hai tumhaara jo abhi tak uss
kutte se pyar karti ho aur abb bhi tumhe uska koi galti najar nahi aa raha hai tum
mujhe insensitive kehti ho na jisse pyar ka ehsas kabhi nahi hota hai aajkal me
pyar ko dekh kar aisa ho gaya hun jiska ek udaharan(example) tumhaara aur
Karan ka pyar hai itna keh kar saneer thodi der ke liye chup ho gaya Sameer ki
aawaj me pyar shabd ke liye kadwahat saaf mehsoos kiya jaa sakta tha
Priya:- bas bohat hua bohat bakwas kar liya tumne thoda bolne kya diya tum to
bakwas karne lag gaye jaante hi kya ho tum pyar ke baare me kabhi kisi se pyar
kiya hota tab tumhe pata chalta ki pyar ka matlab kya hai tumhe sirf badla lena
aata hai Sameer pyar karna nahi aata jab tumhe kisi se sache dil se pyar hoga
na tab tumhe pyar ka arth samajh me aayega bina kuch jaane iss pabitra shabd
ke baare me kuch mat kaho aur mere pyar ke baare me kuch na bolo to hi accha
hai Priya aur bhi bohat kuch bolne wali thi lekin Sameer ki hansi ne usse bich me
rok diya Sameer ki hansi me bhi gussa bhara hua tha
Sameer:- han ha han bohat accha jokes maara tumne pyar karne se hi pata
chalta hai pyar ka matlab kya hota hai tumhaara matlab hai ki insaan kisi se pyar
karne se pehle pyar ke baare me kuch nahi jaanta pyar hone ke baad hi sab
kuch pata chalta hi ki pyar kya hota hai to fir mujhe ye bataao kisi ko pyar kaise
hota hai jab usse pyar ke baare me pata hi nahi hai itna keh kar Sameer ne ek
najar Priya par daala abb hasna band karke usne firse kaha Sameer:- insaan jab
umar ke saath bada hone lagta hai tab usne bohat tarah ki feelings aane lagta
hai unme se ek feeling pyar hai teenage se hi hame pata chalne lagta hai ki pyar
kya hota hai dosto se movies se stories se aur aas paas ke maahaul se pata chal
jaata hai ki pyar kya hota hai yahi umar hota hai jab ham sochte hai ki ham sab
bhi kisi se pyar kare kisi se aur wo bhi hamse pyar kare aur hamaari life ek dam
mast ho jaaye sabhi ka pyar ke baare me alag soch hota hai koi pyar ko vasna
samajhta hai to koi pyar ki puja karta hai aur jindagi bhar ap I pyar ki salamati ka
dua maangta hai khud mar mitta hai lekin apne pyar ko thoda sa bhi taklif hone
nahi deta hai lekin aaj kal pyar ka matlab kahi kho sa gaya hai pyar ki pabitrata
kam ho raha hai pyar ko pyar na maan kar ek majaak aur khel samajhne lage hai
log aaj kal sabhi ke apne bf aur gf hote hai dekha hai maine mere dosto ko dusre
dost se puchte hue bhai kitne gf hai tere aur dusre ka jawaab aata hai abhi tak to
5 hi hai 2 ladki aur dekh chuka hun jald hi wo bhi pat jaayegi kya issi ko pyar
kehte hai? ye pyar kam vasna jyada hai aur iss tarah ke pyar karne walo ki
sankhya (number) badhta jaa raha hai aaj kal har ladka ya ladki jo teenage ya
usse thoda jyada ho jaate hai unka bf/gf ban hi jaate hai agar nahi bane to baaki
ke log uss par shak karne lagte hai ki kahi isme koi kami to nahi hai ye hua
vaasna waala pyar abb dusri tarah ka pyar ke baare me batata hun attraction
maanta hun attraction pyar ka suruwaat bhi hai agar attraction se suruwaat ho
aur pyar par jaakar khatam ho to wo pyar mahan hai lekin aaj kal koi ladka kisi
khubsurat ladki ko dekhta hai ya fir koi ladki handsome ladka ko dekhte hai to wo
dono attract ho jaate hai unhe lagta hai wo ek dusre se pyar kar rahe hai aur
unhe love at first sight hua hai han hota hai kabhi kabhi love at first sight bhi
sacha pyar hota hai sacha pyar me attraction bhi jaruri hai agar ek dusre par
attract nahi hote hai pyar karne waale jodi to uss pyar ka matlab hi nahi hai pyar
me attraction hota hai lekin sirf attraction ko pyar maana bohat badi bhool hai aaj
jo break up fashion ban gaya hai na ye sirf attraction ki wajah se hua hai jab bhi
ladka ya ladki kisi dusre ki taraf jyada attract hote hai to break up ho jaata hai
kabhi kabhi to aisa bhi hota hai ki ladka aur ladki love marriage bhi kar lete hai
lekin jab baat aata hai jindagi bhar saath bitaane ka tab kuch pal me hi ek dusre
se bore ho jaate hai aur unka shaadi unka pyar wahi par barbaad ho jaata hai
maine kuch der pehle tumse pucha tha na kya pehli najar ka pyar bhi itna
khudgarz hota hai ki apne pyar ki khaatir log dusro ki pyar tut jaaye aisa dua
karte hai maine tumse iss liye ye sawaal puccha tha ki main ye jaana chaahta
tha ki tum iss baare me kya sochti ho main jo soch raha hun iss baare me wo
sahi hai ya galat lekin tumhe kuch pata nahi tha mera maana hai ki ye pyar hi
nahi hai sacha pyar me ham kabhi apne pyar ki buraai nahi sochte hai khud ko
chaahe kitna bhi bura kyu na lage ham apne pyar karne waalon ke liye aisa bilkul
bhi nahi sochte hai hame apna taklif ki jagah hamaare pyar ki khusi najar aata
hai ye bhi bhul jaate hai ki hame hamaara pyar milega bhi ya nahi bas apne pyar
ki chehre me khusi dekhna chaahte hai Anjali mujhse koi pyar nahi karti thi wo
bas ek attraction tha jo shaayad 2 din tak bhi na tik paaye wo bhi aaj ke unn
modern logo me se hai jo attraction ko pyar ka naam dete hai unka soch ye hai ki
pyar to insaan ko hota rehta hai ek ke saath toot gaya to dusre ke saath ho
jaayega break up ke baad fir se naya pyar mil jaata hai aur issi tarah life aage
badhta rehta hai bohat kam hote hai jo aaj ki iss matlabi duniya me saccha pyar
karte hai lekin unka pyar ka koi ehmiyat nahi hota hai dekha hai maine Mahesh
ke pyar ko kitna toot kar usne saccha pyar kiya tha lekin uska pyar ko uss ladki
ne majaak bana diya pyar jitna aasan hota hai karna utna mushkil hota hai
nibhaana agar kisi ka saccha pyar ke badle saccha pyar milta hai to shaayad
uska kismat bohat accha hota hoga aisa nahi hai ki saccha pyar aaj kal dekhne
ko nahi milta hai saccha pyar bhi hota hai lekin bohat kam dekhne ko milta hai
aaj kal pyar ka jo matlab hota hai shaayad uski wajah se sacche pyar bhi dab
gaya hai thoda sa lekin kuch log exceptional bhi hote hai jo sacche pyar me
vishwas karte hai aaj bhi itna keh kar Sameer thodi der ke liye chup ho gaya wo
fir se kuch bolne waala tha ki Priya ki hairaani se bhari hui aawaj uske kaaano
me pahuncha
Priya:- lekin ye sab tum mujhe kyu bata rahe ho
Sameer:- iss liye kyuki tumne mujhe kaha tha mujhe pyar ke baare me kuch nahi
pata hai iss liye kyuki abhi bhi tum uss fraud Karan ko mujhse accha keh rahi ho
maine tumse bas tumhaara raay jaana chaaha tha Anjali ke pyar ke baare me
lekin tumse baat karne ke baad pata chala ki tumhe pyar ke baare me bohat si
baatein pata nahi hai wohi bataa raha hun sabse pehle to tum ye jaan lo ki tum
Karan se utna bhi pyar nahi karti ho jitna tumhe lagta hai tumhe bhi Karan se
attraction hi hua hai ye alag baat hai ki tumne kabhi Karan ka bura nahi chaaha
yaa fir kabhi dhokha dene ka nahi socha lekin tumhe Karan se utna bhi saccha
pyar nahi hua hai jitna tumhe lagta hai wo fraud bhi kisi ka pyar deserve nahi
karta hai aur aisi pyar kabhi sacha nahi hota hai jiska suruwaat hi dhokha se hua
hai itna kehkar Sameer chup ho gaya aur Priya ko dekhne laga
Priya:- ye kya bakwas kar rahe ho tum Priya ki aawaj me gussa aur hairaani
dono tha wo kuch aur bolti Sameer ne usko chup karaate hue bola abb Sameer
ka gussa bhi dhire dhire kam ho raha tha
Sameer:- tumne hi kaha tha Karan ne mera ghadi churaya tha aur uske baad
tumhe usse pyar hua ye soch kar hi usne tumhaara jaan bachaya main tumhe
yakin shaayad nahi dilaa paaunga ki tumhaara pyar sacha nahi hai aur ye bas
attraction hai kyuki tum meri koi bhi baat nahi maanogi bas kuch din intejaar karo
tum Karan ko puri tarah se bhool jaogi main aisa iss liye keh raha hun kyu ki
maine tum me aisa koi dard nahi dekha hai jo pehla pyar tutne par hota hai han
kabhi kabhi bohat dard hota hoga tumhe bhi Karan ka dhokha ki wajah se lekin
agle hi pal tum sambhal bhi jaati hogi lekin sacha pyar tutne par aisa nahi hota
hai insaan ko jo dard hota hai wo itni jaldi khatam nahi hota hai Karan ki naatak
se tum uski tarad attract hone lagi thi aur shaayad pyar bhi karne lagi thi lekin koi
bhi pyar achanak se itna saccha nahi hota kuch wakt chaahiye hota hai kisi bhi
pyar me vishwas aur yakin aane me uake baad hi pyar sacha hai ya attraction
hai ye baat pata chalta hai tumhaara pyar suru hone ke kuch der baad me hi toot
gaya main nahi maanta ye pyar sacha tha aur Karan jitna bhi naatak karle tumhe
apna pyar jataane ka wo kabhi jata nahi paayega jaise koi sacha aashiq apne
premika se jataata hai main nahi jaanta ki tum dono ka pyar kaisa tha tum khud
hi ek baar iss baare me thande dimaag se socho aur khud pata karo kaisa pyar
tha tum dono ka itna kehne ke baad Sameer ne fir Priya ko dekha Priya ne kuch
jawaab nahi diya
Sameer:- han sach hai maine kisi se pyar nahi kiya hai lekin iska matlab ye nahi
ki mujhe pyar ke baare me kuch nahi pata hai bohat kuch janta hun pyar ke
baare me lekin karne se darta hun kyuki mujhe bhi dar lagta hai ki kabhi pyar me
mujhe dhokha na mile yaa fir ye keh lo ki kabhi mujhe meri type ki ladki nahi mili
jisse dekhte hi lage ki main iske saath pyar se aage ki jindagi kaat lunga kabhi
aisa nahi laga ki uss ladki ke bina meri jindagi adhuri hai Shruti meri bohat acchi
dost hai lekin usse kabhi pyar nahi hua har baar ye jaroori bhi to nahi hota hai ki
jo hamse pyar karta hai ham bhi usse pyar kare Shruti ki bohat si aadat hai jo
mujhe pasand nahi hai shaayad iss wajah se mujhe usse pyar nahi hua hai kabhi
mukhe ye mehsoos nahi hua hai ki main usse pyar karta hun dekhna tum agar
main kisi se pyar karunga to kitna toot kar karunga bas ek ladki mil jaaye jisko
dekh mujhe ehsas ho jaaye ki main isse pyar karta hun agar ye vishwaas ho
jaaye ki wo ladki mujhe kabhi dhokha nahi degi aur jindagi bhar mujhe pyar
karegi to jindagi bhar uska saath nahi chhodunga aisa pyar karunga ki usko bhi
pata chal jaayega sacha pyar kya hota hai pyar karna kisse kehte hai Sameer ne
ye baat apne dil ki gehraayi se kaha tha lekin agle hi pal ek niraash aawaj me
usne kaha
Sameer:- nahi nahi kisi ladki se nahi Shruti se abb main kisi ladki ke baare me
soch bhi nahi sakta agar jindagi me mujhe Shruti se pyar ho gaya tab usse bhi
ehsas ho jaayega ki sacha pyar kya hota hai isse aage Sameer se isa topic ke
baare ne kuch nahi bola gaya jald hi usne topic badal kar kaha
Sameer:- Priya shaayad aaj tak meri wajah se tumhaare saath galat hi hua hai
lekin abhi kuch baatein bataane ja raha hun jisko sunne ke baad shaayad tumhe
aage jaakar fir aisi mushibaton ka saamna karna na pade tum Karan se pyar
karne lagi thi aisa pyar jisme shaayad jarurat se jyada vishwaas tha aisa pyar
kabhi mat karna kisi se bhi pyar me vishwaas jaruri hai lekin vishwaas itna bhi
andhaa nahi hona chaahiye jo tumhe baad me taklif pahunchaaye tumhe lagta
tha ki shaayad Karan tumse sacha pyar karta tha lekin main yakin ke saath keh
raha hun ki wo sirf naatak kar raha tha usne tumse pyar ka naatak issliye kiya
hoga kyuki wo tumhaare saath sirf time pass karna chaahta tha shaadi to wo
tumse kabhi karta hi nahi aur tumhaara aur mera shaadi se usko ek bahana mil
gaya tumse break up ka agar wo tumhe sach me pyar karta to aaj tum mere
saath nahi hoti main bhi gadha hi hun jo uss par ek pal ke liye vishwaas karke
tumse shaadi kar liya ye soch kar ki tumhaara yaha aane ke baad tum dono ka
shaadi ho jaayega Divya ko iss baare me pucha bhi tha lekin usko bhi nahi pata
tha Karan iss tarah se tumhe dhokha dega Karan to mujhe pehle hi najar me
fraud lagta tha tum se bhi pehle hi najar me nafrat ho gaya tha baad me socha ki
tumhe Karan ke baare me bata kar saawdhan kardu lekin ye sochkar chup rehta
tha ki tum meri baat nahi maanogi bohat baar tumhe hamaare paas aa kar
dimaag kharab karne ke liye mana kiya tha lekin tum aur wo kabhi nahi maante
the to socha ye baat bhi tum nahi maanogi life me tumhe Karan jaise bohat log
milenge jo pyar ka dikhaawa karke ladki ka istemaal karte hai aur bich raaste me
chhod dete hai pyar karna galat nahi hai lekin andha pyar karna galat hai jaise
tumne Karan se kiya tha main ek ladka hun aur ladko ki aadat bohat acche se
jaanta hun koi bohat sharif bhi hote hai aur koi bohat ghatiya bohat se dost mere
Karan ki tarah hi the jo sirf ladkiyo ka istemaal karke unka faaida uthaana jaante
hai pyar karna nahi jaante hai main tumhe ye nahi keh raha hun ki kisi se pyar
karne se pehle unpar shak karo agar shak galat saabit hua to pyar karo Karan
jaise log double standard hote hai do tarah ki baat karte hai aise log ek tumhaare
saamne aur dusra tumhaara pith piche kabhi na kabhi inki baato se shak ho hi
jaayega ki ye kis tarah ka insaan hai kabhi kabhi inke aas paas ke logo se bhi
puchna ye kaise log hai sab kuch pata chal jaayega inka charecter ke baare me
bas itna kahunga ki apne pyar par vishwas karo kyuki vishwas se hi pyar tika hua
hota hai lekin vishwas hadd se bhi jyada nahi hona chaahiye ki saamne waalo ka
bada sa bada galti bhi najar andaaz kardo jo baad me tumhe hi nukshaan
pahuchaayega aur pacchtaane ke liye kuch baaki nahi rahega mujhe pata hai
tum shayad pyar ke baare me jyada nahi jaanti thi iss liye Karan ka ghatiya soch
ke baare me nahi jaanti thi jaanta hun tumhaare pyar saaf tha lekin Karan ka
ghatiya pyar ke baare me nahi jaanti thi issi ka shikaar ho gayi ho tum itna kehne
ke baad Sameer ne Priya ko dekha aur kaha
Sameer:- mujhe lagta hai shaayad tumhe meri baat samajh me aa gaya hoga
itna keh kar Sameer niche room me jaane laga kuch kadam aage hi badhaya tha
ki ussi jagah khada hokar piche mud kar shaant aawaj me kaha
Sameer:- maine shaayad kuch jyada hi gusse me tumse baat kar liya iske liye
sorry gussa me pata nahi kyu lekin paagal hone lag gaya hun aajkal lekin kya
karu main ye bardaast nahi kar paaya ki tumne mujhe Karan se bhi ghatiya keh
diya maanta hun main tumhaare liye galat hun lekin Karan jitna ghatiya nahi hun
mujhe gussa aur nafrat ne galat banaya lekin kabhi kisi ko Karan ki tarah dhokha
nahi diya hai aur naahi kabhi dunga sache pyar ki puja karta hun respect karta
hun Karan ki tarah nahi jo pyar ko majaak samjhe aur sabse badi baat main
anjaane me kisi ki buraai nahi chaahta hamesha se saaf dil insaan hun aur kabhi
double standard behave nahi kiya hai tumhaara mujhe insensitive aur Karan se
ghatiya kehna pasand nahi aaya tha iss liye itna kuch bol diya pata nahi gusse
me kya kya bol diya agar kuch bhi bura laga ho to I am sorry itna keh kar Sameer
niche chala gaya Sameer ke jane ke baad Priya Sameer ki kahi ek ek baat
sochne lagi usko Sameer ki sabhi baat sach laga bas ek baat ko chhod kar ki wo
Karan se sacha pyar nahi karti usse abhi bhi lagta hai ki usne Karan ko sache dil
se pyar kiya tha pehla pyar ka ehsas ya fir attraction hota hi aisa hai ki sabko
yahi lagta hai ki uska pyar sacha tha Priya ne iss baat ko aane wale wakt par
chhod diya aur wo bhi niche apne room ki taraf chali gayi aaj Sameer ne gusse
me hi sahi Priya ko apna feelings bata diya Priya ko ye baat pata chal vaya ki
Sameer pyar ke baare me kya sochta hai aur Sameer ka ek naya roop bhi dekh
liya Priya ne jo abb tak wo usse anjaan thi raat ke 11:00 baj raha tha Priya se
baat karne ke baad Sameer apne room me chala gaya apne room me pahunchte
hi Sameer bed par lait gaya ahr aaj din se raat tak hua sabhi ghatna ke baare me
sochne laga sabse pehle usse Anjali aur uska pehli najar ka yaad aur uska
proposal yaad aaya iss baare me Sameer ne jyada nahi socha kyuki usse pata
tha ki ye pyar nahi attraction hai aur Sameer ko bhi Anjali par koi dilchaspi nahi
tha uske baad Sameer ko chhat me Priya se jo baat kiya tha uska yaad aaya
Priya se hui baatein ko yaad karte hue Sameer ke chehre me hairaani ki
lakeerein najar aane laga aur wo sochne laga kitna galat sochta tha Priya ke
baare me pehchaane me galti kar diya bohat acchi hai wo maine uske saath itna
galat kar diya lekin usko mera pareshaani bhi dikh gaya mera ghutan aur
paschaatap bhi dekh liya usne aur mere liye mere papa ko bhi keh diya ki mere
saath itni berukhi aur gusse se baat na karein uski jagah koi aur hota to shaayad
mujhe aur pareshaan karti mujhe apne hi najar me aur giraane ki koshish karti
kabhi ek pal ke liye bhi chhain se jeene nahi deti har pal mujhe uske najaro ke
saamne jhuk kar rehna padta agar wo bhi ye sab karti hai to ye galat nahi hoga
kyu ki kaam hi maine aisa kiya hai main maafi bhi nahi maang sakta usse maaf
karna ya nahi karna ye bhi uske hi haath me hai pata nahi kabhi wo mujhe mera
iss bhool ke liye maafi milega ya nahi agar maaf kar bhi diya to kya ho jaayega
uska wo wakt kabhi waapas nahi laa sakta main uska jindagi ke saath maine
khilwaad karke bilkul accha nahi kiya koi hak nahi tha mujhe apna badla gussa
aur nafrat kisi par utaarne ka meri ek galti ki wajah se sabhi ki jindagi kitna buri
tarah se prabhaawit ho gaya abb pacchtane se bhi kuch nahi hoga galti to ho
gaya hai mujhse aur shaayad isse sudhaar bhi nahi sakta nafrat ne bhi mujhe
kitna galat aur nirdayi bana diya aur main apna badla ke liye bina koi anjaam
soche chal pada ek khatarnaak kadam uthaane sach me nafrat aur gussa hi
insaan ka sabse bada dushman hai insaan kisi se to bach kar bhaag sakta hai ya
fir kisi ka bhi saamna kar sakta hai lekin khud se dur nahi bhaag sakta aur khud
se ladna bhi bohat mushkil hota hai ek baat to sikh liya hai maine jaldbaazi me
kabhi koi kadam nahi uthaana chaahiye aur gussa aur nafrat kisi ka bhi saga
nahi hota har parishthiti me kadam soch samajh kar rakhna chaahiye kabhi kabhi
to khud par hi gussa aata hai main kisi ko bhi pehchaane me itna bada galti kaise
kar sakta hun Priya ko ek chhota sa jhagada ki wajah se galat mann liya aur
uske saath dushmani badhte chala gaya jiska natija aaj saamne hai Rajesh ne
bhi bohat baar samjhaaya rha Priya itna bhi buri ladki nahi hai jitna main
samajhta tha lekin kabhi uski baat ko seriously nahi liya aur upar se umar ka josh
hamesha khud ko hi sahi maanta tha upar se Shruti ka saath wo bhi mujhe Priya
ki hi galti dikhaati thi uski baat sunne aur maane ki wajah se mera aur Priya ki
bich ki dushmani badhta chala gaya abb Shruti ko bhi dosh nahi de sakta galti
mera hai baat maane wala sunne wala aur faisla karne wala bhi main hi tha sach
hai ye baat aankho se dekha aur kaano se suna baat hamesha sach nahi hota
hai apni najaro se Priya ki buraayi hi dekha lekin aaj pata chal raha hai kitna
galat tha main kaash ye baat pehle samajh gaya hota main to aaj jo haalat hai
wo nahi hote apni hi najaro me iss tarah girna nahi padta aur Priya ka gunehgaar
bhi nahi banna padta isme sabse bada galti uss fraud Karan ka hai Priya ka uske
saath hona bhi ek wajah tha mujhe Priya ko galat samajhne me Karan ko
pehchaane me koi galti nahi kiya wo kutta galat tha aur hai jitna socha tha usse
bhi bada kamina nikla wo khair ye sab baatein soch kar koi faaida nahi abb aage
kya karu wo sochna chaahiye kya karu main Priya ke liye ki wo mujhe maaf kar
de kuch to karna hi hoga yaha iss tarah ghut kar rehna bhi uske liye kitna
mushkil ho raha hoga ye baat bhi main acche se jaanta hun sab kuch meri wajah
se hua hai aur main kuch kar bhi nahi paa raha hun (Sameer kuch der issi baare
me sochne laga ) kuch samajh me nahi aa raha hai aaj usko dosti ke liye bhi
puch liya bewkoof hun main jo ye soch liye ki wo mere saath dosti kar legi itna
kuch karne ke baad wo mujhe dekhna tak pasand nahi karti hogi aur main dosti
ka soch raha hun nahi kuch aur hi sochna hoga (kuch der aur sochne ke baad
bhi usko kuch samajh me nahi aaya ) kuch samajh me nahi aa raha hai kya karu
shaayadye faisla ko wakt par chhod dena chaahiye wakt aane par kuch na kuch
to hoga hi abhi jaldbaazi me kahi kuch bigad na jaaye pehle hi ek jaldbaazi kar
chuka hua aur uska fal aaj bhugat raha hun dusri taraf Priya bhi apne bed par
laiti hui thi wo bhi apne soch me dubi hui thi usse bhi ek hi baat baar baar yaad
aa raha tha Sameer ka ye kehne ki Priya Karan se pyar nahi karti thi ye sirf uska
attraction tha yahi baat Priya ko bohat der se pareshaan kar raha tha aur wo bhi
apne ateet ki yaado me chali gayi aur ek baar fir apna aur Karan ke prem kahani
ke baare me sochne lagi apne prem kahani ko yaad karte hi sabse pehle usse
yaad aaya uska pyar ka suruwaat kaise hua tha ek dhokha aur chhal se Karan
ka apna jaan par khel kar usko bachaana hi pehli ghatna tha jis wajah se Priya
Karan se impress hui thi aur uski taraf aakarshit hone lagi thi aaj Priya ko pata
tha ki ye sab jhut tha ye sab Sameer ne kiya tha aur Karan ne jhuth bol kar apna
naam keh diya tha Priya ko ek jhuth aur dhokha se suru hua pyar kabhi apni
manjil tak nahi pahunchta ye baat Priya ko bhi pata tha aaj pehli baar Priya ko
Karan par nafrat aa raha tha usne uska dost hone ke baawjood usse dhokha
dene ka koshish kiya tha abb Priya ko Karan me jo bhi buraayi tha wo sab dikhne
laga usse gaad aaya ki uska aur Karan ka dosti kaise hua tha Sameer se hui
fight ki wajah se dono me dosti iss liye hua tha kyuki dono ke ek maatra
dushman Sameer tha kehte hai na dushman ka dushman dost hota tha jab
Karan aur Priya ka dosti hua tha unn dono me baat bhi issi baare me hota tha ki
Sameer se badla kaise lenge kaise Sameer se apne badla lenge aur kaise
Sameer ko haara hua dekhenge lekin unka koi plan kaam ka saabit nahi hua aur
ulta unn par hi bhaari pad gaya aur wo bhi haar maane walo me se nahi tha bas
planning ki wajah se hi dono ke bich ki dosti badhta chala gaya lekin Priya ko
Karan se pyar tab tak nahi hua jab tak Sameer ne usko khaayi me niche girne se
nahi bachaya Priya ko bhi abb lagne laga ki usko Karan ke liye koi feeling nahi
tha pehle aur achanak hi usko pyar ho gaya Karan se abb usse samajh me aaya
ki ye pyar nahi aakarshan tha uss wakt kya koi kisi ka jaan bacha leta hai to usse
pyar ho jaata hai agar aisa hota to jo bhi uski jaan bachata unn sabse Priya ko
pyar ho jaata abb Priya ko apni murkhata samajh me aaya lekin jab aakarshan hi
sahi jo usko Karan se hua tha usko lagne laga ki sach me wo Karan se pyar karti
thi aur shaayad ye sach bhi tha pyar ka suruwat dhokha aur attraction se hi sahi
lekin Priya Karan se saccha pyar karne lag gayi thi abb Priya ko Karan ki double
standard baatein yaad aane laga tha jo usne pehle ignore kar diya tha Priya ko
aaj pata chal gaya tha ki Karan kitna bada dhokhebaaz aur fraud hai usne kabhi
Priya se pyar kiya hi nahi tha lekin Priya abhi bhi acche se jaan nahi paayi thi ki
wo Karan ke liye pyar karti thi ya attraction usne bhi iss faisle ko wakt par chhod
diya lekin aaj Sameer se hui baato ki wajah se Karan se nafrat ho gaya tha usko
apna dil tootne ka dard usko abhi bhi tha lekin abb Karan ki chehra yaad aate hi
usko Karan se nafrat sa ho gaya tha ateet ki yaado se baahar nikalte hi Priya
Sameer ke baare me sochne lagi Sameer se jitni baar milti thi har baar usse ek
naya hi Sameer milta tha puraana Sameer maano kahi gaayab sa ho gaya tha jo
har baar usko apna ghamand dikhaata tha uska majaak udaata tha uske saath
baat karte wakt hamesha berukhi hota tha jo Sameer hameaha khud ko sahi
maanta tha wo aaj dikh hi nahi raha tha shaadi ki baad pehli baar Priya ne
Sameer ko maafi maangte hue dekha tha wo maafi bhi Sameer ne dil se maanga
tha aur usse apna bhool ka ehsaas tha abb jo Sameer ko Priya dekh rahi thi wo
Sameer aur puraane Sameer me bohat badlaaw aa gaya tha aaj Priya Sameer ki
sacchaayi aur acchaayi dekh rahi thi pehli baar pata chala ki Sameer utna bura
nahi tha jitna wo galat samajhti thi lekin baar baar usse Sameer ka bhool yaad aa
jaata tha jiska sajaa usse mil raha tha iss bhool ki wajah se Priya ko kya kya
sehna pas raha tha ye sirf Priya hi jaanti thi naa kisi ko apna ghutan aur dard
bata sakti thi waha par nahi ghut ghut kar jee paa rahi thi kabhi kabhi usko jor se
rona aata tha lekin kar bhi kya sakti thi khud hi aansu poch leti thi aur aage ke
baare me sochti thi har baar Sameer se yahi sawal puchti thi agar tum itna accha
ho Sameer to mere saath itna galat kyu kiya kyu mere jindagi ke saath aisa
majaak kiya 1 week later Sameer aur Priya ka soch ek dusre ke liye dhire dhire
badalne laga abb dono ko ek dusre me acchaayi dikhne laga Sameer har ek pal
apne bhool ke liye pachtaata rehta wo har baar ek hi baat sochta tha kaash
maine aisa nahi kiya hota aisa karke maine kisi ke saath accha nahi kiya naa hi
khud ke saath na Priya na Shruti aur nahi maa aur papa ke saath kabhi kisi ke
liye bura nahi socha fir bhi aaj sabhi ke liye bura ban gaya hun yaha tak ki apni
najro me bhi gir gaya hun bas yahi soch ke saath Sameer har pal ghut ta rehta
tha agar kabhi jyada pareshaan hota tha to usse apne maa ki kahi hui baat yaad
aa jaata tha wo kisi tarah khud ko sambhaal kar apne aap ko majboot banane ki
koshish karta tha din me to wo office jaata tha iss liye kisi tarah wo khud ko
kaamo me vyast rakh leta tha lekin har ek shaam aur raat ko kaatna bohat
mushkil hota tha uske liye na chaahte hue bhi wo apni bhool ke baare me
sochne par majbur ho jaata tha jindagi me pehli baar Sameer iss tarah se
aatmaglaani mehsus kar raha tha kabhi khud par jyada hi ghamand karne wala
Sameer ne kabhi socha nahi tha ki usko jindagi me aisa din bhi dekhna padega
abhi wo koshish kar raha tha kisi tarah haalato ko sambhaalne ka lekin usse
samajh me nahi aa raha tha ki usko kya karna chaahiye bas khud ki pareshaani
me hi uljhaa hua tha dusri taraf Priya ko bhi Sameer ke ghar me rehna pasand
nahi tha lekin uski bhi majburi thi Sameer ke ghar me rehna wo apna ghar me bhi
nahi rehna chaahti thi apni papa ki wajah se Priya ko apne papa se itna nafrat ho
gaya tha ki abb wo uska chehra tak dekhna pasand nahi karti thi kisi tarah 1 saal
yahi bitaane ke baad wo sab kuch chhod kar kahi dur jaane ka soch rahi thi aur
apni jindagi ka ek nayi tarah se suruwaat karne Priya ke liye Sameer ke ghar me
rehna itna bhi aasan nahi tha waha uska apna kehne ke liye koi bhi nahi tha wo
bohat akeli mehsus karti thi waha par bas kabhi kabhi Sameer ki maa se uski
thodi bohat baat ho jaata tha iske alawa 1 hafta se usne kisi ke saath baat nahi
kiya abb bhi Sameer ke ghar me rehna uske liye aasan nahi tha fir bhi abb usko
thoda aadat ho gaya tha Sameer ka ye badla hua chehra jab bhi Priya dekhti thi
wo Sameer ke baare me sochne par majboor ho jaati thi baar baar wo Sameer
ke baare me yahi sochti thi ki Sameer accha hai ya bura shaadi se pehle to Priya
ne Sameer ko hamesha se hi ghamandi aur awara ladka maana tha jo apne dost
(Shruti) ke saath mil kar dusro ka majaak udaana hi jaanta hai iske alawa college
me kuch maar peet ki wajah se bade ghar ka bigda hua ladka ya fir gunda type
ka image ban gaya tha shaadi ki wakt Sameer se itna jyada gussa aur nafrat
karne lagi thi ki shaayad hi kabhi Sameer ko maaf karti lekin abb badla hua
Sameer ka dekh Priya bohat hairaan thi abb usse bhi lagne laga tha ki kahi usne
Sameer ko pehchaane me pehle galti to nahi kar diya tha Sameer aur uske
behavior ke baare me bohat saare khayal aane ke baawjood Priya ne soch liya
tha ki wo Sameer ko kabhi maaf nahi karegi
Dinner karne ke baad Sameer apne room me baith kar rest kar hi raha tha ki
uske mobile me Mahesh ka phone aaya bina koi der kiye Sameer ne phone utha
liya
Mahesh:- kaisa hai yaar bohat dino se baat bhi nahi kiya hai?
Sameer:- khud ki tension me uljha hua hun yaar tu bhi jaanta hai sab kuch
Mahesh:- abhi tak wo baat nahi bhula tu Mahesh ne hairaan hone ka naatak
karte hue kaha wo Sameer ke baare me sab kuch jaanta tha fir bhi usne Sameer
ko inn saari baato se baahar nikalne ke liye kaha
Sameer:- tujhe itna aasan lagta hai kya ye sab bhulna mere liye to nahi hai apni
galti ko ignore nahi kar sakta aur nahi dur bhi bhaag sakta hun
Mahesh:- accha ye bata party kab dega tu? Mahesh ko pata chal chuka tha ki
agar Sameer se iss baare me baat karta raha to kabhi iss baat se baahar nahi
nikal paayega issi liye Mahesh ne baat badal diya
Sameer:- party kis liye? Sameer ne hairan hokar pucha usse samajh me nahi aa
raha tha ki Mahesh kis baat ke liye party maang raha hai
Mahesh:- arre tujhe job mil gaya hai na iss liye party maang raha hun bata kab
dega party?
Sameer:- kya yaar tujhe bhi bakwas baato ke liye party chaahiye ye job nahi time
pass hai mere liye
Sameer ne sar peet te hue kaha
Mahesh:- matlab
Sameer:- ye job main iss liye kar raha hun kyu ki main Priya ke saamne nahi
jaana chaahta hun agar ghar me raha to uska saamna to hoga hi issi liye uske
najaro me nahi aana chahta hun wo bhi mujhe dekhna pasand nahi karti hai kisi
tarah 1 saal tak issi job me apna time pass kar lunga uske baad 1 accha sa job
karke life me settle ho jaaunga
Mahesh:- to tujhe lagta hai ki iss tarah se tu bach jaayega Priya se pehli baar
tujhe kisi se bhaagta hua dekh raha hun Sameer
Sameer:- main kisi se nahi khud se bhaag raha hun kuch time ke liye jitna din
Priya se dur rahunga utna hi accha rahega khud ko sambhaalne ke liye tujhe ya
fir kisi ko bhi hairani ho sakta hai mera harkat dekh kar agar tu meri jagah me
hota to tujhe pata chalta kya beet raha hai mujh par meri galti aur bewkoofi ki
wajah se kisi ki life me itna tufan aa raha hai inn sabhi ke liye main hi jimmedaar
hun kabhi kisi ke liye buara nahi chaaha lekin aaj main bohat bura ban gaya hun
ki apni hi najar me gir gaya hun jab bhi Priya ko dekhta hun khud par hi gussa
aata hai nafrat me main itna andha kaise ban gaya yaar ki itna ghatiya kaam kiya
maine aaj Priya ko dekh kar aisa lag raha hai ki maine ek nahi do bhool kiya hai
pehla galti ye hai ki Priya ko pehchaane me galti kar diya kitna galat sochta tha
uske baare me lekin wo kabhi buri ladki nahi thi wo Karan ki wajah se bhi
shaayad aisa hua tha jo bhi ho galti mera aur mera soch ka tha aur dusra galti
mera sabse bada bhool hai anjaane me ya fir nafrat ki aag me maine aisa kadam
uthaaya ki uss kadam se ham sabhi ki life me ek bohat bada tufaan aa gaya itna
keh kar Sameer chup ho gaya usne apne bhool ki kahani ek baar fir Mahesh ko
suna diya
Mahesh:- accha ye sab chhod aur bata ki tu Karan ko comedian kyu bolta tha
jitna Rajesh ne mujhe bataya Karan ke baare me usse to mujhe nahi lagta ki
Karan ne tere saamne kabhi comedy kiya hai Mahesh ne baat badalne ke liye fir
se topic badal diya wo kisi bhi tarah se Sameer ko Priya se related baato se dur
rakhna chaahta tha lekin kisi na kisi wajah se Sameer ki baat fir se Priya par
aakar hi khatam hota tha Karan ka naam sun kar Sameer ko bohat gussa aaya
kisi tarah apbe gussa par kaabu karke Sameer ne kaha
Sameer:- han comedy to nahi karta tha lekin uski bewkoofo wali baat se hansi aa
jaaata tha uski baatein aur dhamki hi aisa hota tha ki sun kar hi hansi aa jaata
tha hansi aa jaata tha uski baatein sun kar iss liye comedian kehta tha kuch nahi
kar sakta tha mere saamne lekin bohat jyada bhaunkta tha kehte hai na empty
vessel sounds louder ye kehte hue Sameer ka Karan ke liye gussa bohat badh
gaya kuch der shaant rehne ke baad usne kaha bas abb yahi dua hai ki wo mere
saamne kabhi nahi dikhe agar dikh gaya to pata nahi uska kya haal hoga main
soch bhi nahi sakta isse aage Sameer kuch bol nahi paaya Karan ke baare me
baat karte hue Sameer ka gussa bohat badh gaya tha aur issi gusse me usne
phone kaat diya Mahesh ne bhi dubaara phone nahi kiya usne Sameer ka gussa
phone me aa rahi aawaj se hi pata laga liya tha aise me Sameer se baat karna
usse thik nahi laga uska Sameer se baat karke usko samjhaane ka mauka
Sameer ki gussa ke saamne kaam nahi kiya
Idhar Sameer bhi gusse me apne room me tehalta raha fir bhi uska gussa kam
nahi ho raha tha wo apna mood fresh karne ke liye chhat me chala gaya wo
chhat tak gusse mw pahunch gaya lekin jaise hi wo chhat me gaya uska gussa
pal bhar me gaayab ho gaya saamne Priya thi jo chhat ke ek kone me baithi
niche ki taraf dekh rahi thi Sameer ki taraf Priya ka peeth tha Sameer bhi chhat ki
dusra kona ki taraf chala gaya Sameer ki kadmo ki aawaj se Priya ko pata chal
gaya ki Sameer bhi chhat me aa gaya hai lekin usne kuch react nahi kiya kareeb
15 minute baad Sameer ka gussa bhi kam hua tab jaakar usse yaad aaya ki
usne 1 hafta se Priya ke saath baat hi nahi kiya hai wo Priya ki taraf gaya aur
dheemi aawaj me Priya se pucha
Sameer:- kaisi ho? Sameer ki aawaj aur sawal sun kar Priya chaunk gayi usse
Sameer ka ye sawal ne hairan kar diya Sameer ki taraf mudte hue Priya ne
hairan hokar bas itna hi kaha
Priya:- thik hun
Sameer:- koi taklif to nahi hai na
Priya:- taklif to bohat hai ye shaadi ke baad khair usse bhulne ki koshish kar rahi
hun lekin bhula paana itna bhi ashaan nahi hai filhaal to akela pan hi sabse badi
taklif hai mere liye kisi tarah 1 saal bitaane ka soch rahi hun 1 tumhaari maa hi
hai jiske saath baat karke thoda bohat time pass ho raha hai warna aur bhi taklif
hota yaha rehne me Priya ne dusri taraf mouh ghuma kar kaha Sameer ne abb
koi jawab nahi diya kuch der baad Priya ne Sameer se pucha
Priya:- lekin tum bohat pareshaan najar aa rahe ho kuch dino se hamesha office
aur apne room ke hi chakkar lagate ho Priya ne hairaani ke saath pucha
Sameer:- bohat tension hai abhi aur pareshaani bhi kisi tarah mood thik ho jaaye
ye soch kar office jaata hun aur khud ko busy rakhna chaata hun lekin office me
bhi wo Anjali picha nahi chodti hai baat karne ke liye abhi tak to kisi tarah ignore
kar raha hun usse pata nahi kab tak wo aur uski tension piche padi rahegi
Priya ko jawaab dene ke baad Sameer ko firse Anjali ka yaad aa gaya pehle
Karan aur abb Anjali inn dono ki wajah se Sameer ka gussa aur frustration bohat
badh gaya kisi bhi tarah wo khud par control karke Priya ki agli baat ka intejaar
karne laga lekin Priya ne kuch nahi kaha abb Sameer ke paas waha rene ki koi
wajah nahi tha aur naa hi wo waha rukna chaahta tha bina kuch bole wo sidhe
apne room ki taraf niche chala gaya Sameer ka mood kharab ho gaya tha abhi
Karan aur Anjali ko yaad karne ke baad usko samajh me nahi aa raha tha ki usse
kya karna chaahiye usne socha ki abhi soo jaana hi uske liye behtar hoga isse
usse aur tension nahi hoga kuch wakt ke liye sote wakt usko yaad aaya ki Priya
ne kaha tha usse ki Priya Sameer ki maa ke saath baat karti hai abb Sameer ne
socha ki kal wo apni maa se puchega ki Priya unse kya baat karti hai aur uske
baare me bhi kuch kehti hai ya nahi
Sameer:- maa aapse ek baat puchna tha? sabhi ke lunch karne ke jaane ke
baad Sameer ne akele me Mrs Sharma se pucha Sameer ne aaj office se leave
liya tha aur ghar me hi rehne ka decide kiya tha kuch dino tak ka thakaan aur
ghutan se baahar nikalne ke liye usne ghar me hi reh kar aaram karne ka socha
tha
Mrs Sharma:- han beta bol kya baat karna hai Mrs Sharma ko thoda hairaani hua
Sameer ki aawaj me kuch pareshaani aur gehra soch unhe najar aa raha tha
Sameer:- Priya ke baare me baat karna hai aapse Mrs Sharma ki hairaani
Sameer ke baato ke saath saath badhta hi ja raha tha abb wo soch me padd gayi
ki Sameer aakhir Priya ke baare me kya puchna chaahta hai unse
Mrs Sharma:- kya puchna hai Priya ke baare me kuch der sochne ke baad Mrs
Sharma ne Sameer se pucha unki aawaj me hairaani saaf najar aa raha tha
Sameer:- maa Priya ne bataya tha ki wo aapse baat karti hai to mujhe ye puchna
tha ki wo mere baare me bhi aapse koi baat karti hai kya? mera koi shikaayat
karti hai kya? Sameer ne kal raat se apne dimaag me aa raha soch ko sawal ke
roop me apne maa se puch liya
Mrs Sharma:- nahi usne koi shikaayat nahi kiya usne to tere baare me koi baat
bhi nahi kiya ham dono ke bich me bas aise hi time pass wali baat hota hai kabhi
kabhi main uska haal chaal puch leti hun to kabhi kabhi wo puch leti hai kabhi
kabhi kisi cheej ke baare me baat kar lete hai wo bechaari bhi yaha akeli
mehsoos kar rahi hogi to maine socha ki main bhi din bhar akeli hi rehti hun to
usse baat kar leti hun wo akela bhi mehsoos nahi karegi aur time pass bhi ho
jaayega uska yaha apna koi nahi hai to itna to karna hi padega itna keh kar Mrs
Sharma ne apni baat khatam kiya aur Sameer ki taraf dekhni lagi Sameer ko bhi
samajh me kuch nahi aa raha tha ki kya jawaab de Priya ka uska shikaayat uski
maa se nahi karne ki wajah se Sameer ke dil me Priya ke liye aur respect badh
gaya tha aaj Sameer ko Priya ki ek aur acchaayi dikh gaya
Sameer:- bilkul accha kiya aapne itna keh kar Sameer chup ho gaya usse
samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe
Sameer:- maa Priya kaisi hai matlab wo aapko kaisi lagti hai kuch der chup
rehne ke baad Sameer ne apni maa se pucha Sameer ne puch to liya lekin
puchne ke baad Sameer ko ehsas hua ki Sameer ne kya puch liya hai Sameer
ko khud par yakin nahi hua ki ye usne kya puch liya aur kaise puch liya Sameer
yahi soch me padd gaya uska iss soch ko Mrs Sharma ki aawaj ne toda
Mrs Sharma:- bohat hi acchi aur sanskaari ladki hai jab bhi usne mujhse aur tere
papa se baat koya hai hamesa hame respect hi diya hai kabhi koi badtameezi
nahi kiya aur hamasri baato par kabhi aisa react nahi kiya jisse ye laga ki wo
hamse bhi naraaj hai tera galti ka wajah aur jimmedaar kabhi hame nahi maana
uska naraajgi sirf tujhse hai hamse nahi hame bhi apne parents jaisa hi respect
deti hai kabhi kabhi ghar me koi kaam me bhi apna haath bata deti hai baat aur
kaam se hi pata chalta hai ki kitna sanskari ladki hai wo sach me tujhse bohat
bada bhool ho gaya hai beta tune ek acchi ladki ke baare me aisa galat soch liya
aur bina jaane itna bada bhool kar liya Mrs Sharma ne apna baat khatam kiya
aur fir Sameer ki taraf dekhne lagi lekin iss baar Sameer ne koi jawaab nahi diya
wo firse apne soch me dub gaya aur ye sochne laga ki wo Priya ke baare me ye
sab kyu sochne laga Sameer ko chup dekh kar Mrs Sharma bhi apne room ki
taraf jaane lagi unhe Sameer ki khaamoshi aur soch ke baare me jyada to pata
nahi chala par unhe itna jarur pata chal gaya ki Sameer ka soch Priya ke liye
badalne laga hai jaate jaate Mrs Sharma ne Priya ki ek aur acchaayi aur
khaasiyat Sameer ko bata diya Sameer bhi khud se hi ye sawal puchte hue apne
room ki taraf jaane laga ki kyu wo Priya ke baare me itna sochne laga hai aur
kaise usne apni maa se wo baat puch liya bohat sochne ke baad bhi Sameer ko
jawaab nahi mila aur wo apne room me chala gaya
Kuch din baad ek raat Sameer apne office se ghar pahuncha aaj wo apne normal
time se thoda late ho gaya tha ghar me enter karne ke baad usne dekha ki
dinner ready hai aur sabhi dining table par baithe hai Sameer bhi jaldi se fresh
hokar aa gaya aur nich dining table par khaane ke liye baith gaya Sameer
khaana khaa hi raha tha ki uske kaano me Mr Sharma ki aawaj pada
Mr Sharma:- kal Priya apne ghar jaana chaahti hai Mr Sharma ki baat sunne ke
baad Sameer ko bohat kus hua bohat dino ke baad Mr Sharma ne usse kuch
kaha tha apne papa ke baat sunne ke baad Sameer Priya ki taraf dekha Priya ne
koi reaction nahi diya uske baad Sameer ne Mr Sharma ki taraf dekh kar kaha
Sameer:- ok main kal Priya ko bus stop tak chhod dunga Sameer ne Mr Sharma
ki baat samajh liya aur usne khud hi keh diya ku wo Priya ko bus stop chhod
dega lekin usko ye pata nahi tha ki Mr Sharma usko bas itna bi nahi kuch jyada
kehne wale hai
Mr Sharma:- sirf bus stop tak chhodna nahi hai tum Priya ko uske ghar le jaoge
aur uske saath hi lautoge Mr Sharma ki baat sunne ke baad Sameer ne Mr
Sharma ki taraf fekh kar haa me sar hilaa diya aur Priya ki taraf dekh kar pucha
Sameer:- kitne dino ke liye jaana hai
Priya:- 2 hafte ke liye bohat din ho gaya maa se mile hue iss liye soch rahi hun ki
ek baar maa se bhi mil leti hun
Sameer:- ok office me leave ke liye phone kar deta hun Sameer ki baat par Priya
ne bhi haa me sar hila diya dinner karne ke baad raat me Sameer aur Priya ne
decide kiya ki wo subah 6:00 am par bike me Priya ke ghar ke liye nikal jaayenge
bas kuch hi din hua tha kismat ka khel ne Sameer aur Priya ki life me itna bada
tufaan laa diya tha abb kismat inn dono ke life me ek aur khel khelne wala tha
Priya ki ghar me jo Sameer aur Priya ke rishta me bohat bada badlaaw laane
wala hai Priya ke ghar ke liye ye safar dono ke dil ki bich duriyan ghatane wala
hai aur saath me ek dusre ke liye ek alag hi feeling dono ke dil me paida hone
wala tha dusre din subah jaisa decide kiya tha thik ussi tarah subah 6:00 am par
Sameer aur Priya Sameer ke bike se nikal gaye Priya ki gaanw ki taraf Sameer
ko aasta acche se maalum tha Priya ke gaanw ka Sameer pehle bhi bike se hi
Priya ki gaanw gaya tha safar ka suruwaat karne ke baad Sameer aur Priya ke
bich ek khaamoshi chaa gaya tha iss khaamoshi ko toda Priya ki hairaani ne
hairan hokar Priya ne pucha
Priya:- tumhe mera gaanw ka raasta kaise pata hai tum jis tarah se bike chala
rahe ho usse to yahi lagta hai ki tumhe raasta pehle se hi pata hai kisi bhi turn
par na mujhe puch rahe ho aur nahi koi chale hue log ko
Sameer:- ek baar pehle bhi bike se hi tumhara gaanw gaya tha Sameer ko acchi
tarah pata tha usne kya kaha hai wo jaanta tha Priya uski baat par bohat gussa
ho jaayegi fir bhi dar kar aur himmat ke aath usne sach bata diya
Priya:- ohh han main to bhul hi gayi thi uss manhoos wakt ko jab tumhara mere
gaanw me aane ke baad mera jindagi me itna bada tufaan aa gaya Priya ki
aawaj me bohat gussa tha Sameer ko Priya ki baat par bohat bura laga fir bhi wo
kuch nahi bola aur dimaag shaant rakh ke bike chalane par dhyan dene laga ek
baar fir Sameer aur Priya ke bich khaamoshi chaa gaya Priya Sameer ke saath
gusse ki wajah se baat nahi karna chaahti thi to Sameer bhi Priya ko aur gussa
na aa jaaye uss par iss dar ki wajah se chup tha laghbhag 3 ghanta baad
Sameer ne apna bike ek dhaabe ke paas rok diya Priya ne iss baar aur bhi
hairan hokar pucha
Priya:- abb kya hua bike kyu roka? Priya ki aawaj me abhi bhi thoda gussa aur
naraajgi tha
Sameer:- bohat der se bike chala raha hun thoda thak gaya hun aur shaayad
tumhe bhukh bhi lag raha hoga subah se kuch khaaya bhi nahi hai iss liye socha
thoda khaane ke baad aaram karke fir chalte hain Sameer ki iss baat par thodi
der chup rehne ke baad Priya boli
Priya:- bhukh tumhe lag raha hai aur naam mera le rahe ho ki mere liye bike rok
diya
Sameer:- mujhe bhukh bilkul bhi nahi laga hai subah ka 9:00 am hi hua hai aur
itni jaldi khaane ka mera aadat nahi hai tumhaare liye hi iss dhaabe par ruka hun
warna aaram karne ke liye kahi par bhi bike rok sakta tha Sameer ne to sach hi
kaha tha lekin Priya ne iss baat ko Sameer ka egi samajh liya sach nahi maane
ka aur Priya bhi apne jidd par add gayi aur khinjte hue boli
Priya:- to mujhe bhi nahi khaana mujhe bhi bhukh nahi laga hai tum kahi par
baith kar rest kar lo aur thoda jaldi karna mujhe ghar bhi jaana hai Sameer ne fir
se shaant aawaj me samjhaate hue kaha
Sameer:- sach me mujhe bhikh nahi laga hai abhi main jaanta hun tumhe jarur
bhukh lag raha hoga mujhe pata hai tumhara khane ka time table abb apna
gussa please khaane par mat nikaalo agar tumhe lagta hai ki main apne ego ki
wajah se tumse jhuth bol raha hun to main nahi khaaunga lekin tum please apna
ego aur gussa khaana par mat nikalna iske baad Priya ne kuch nahi kaha aur
chali gayi dhaabe ke andar Sameer bhi piche piche chala gaya kuch der andar
baithne ke baad Priya ne samosa aur tarkaari ka order diya usne Sameer ko bhi
kuch khaa lene ke liye kaha magar Sameer ne mana kar diya kuch der me Priya
ka samosa bhi aa gaya Priya aaram se khaane lagi Sameer bhi idhar udhar
dekhne laga kabhi najar chura kar Priya ko bhi dekh leta tha aisa karne me usko
maja bhi aa raha tha lekin samajh nahi paa raha tha kyu wo iss tarah se Priya ko
dekh raha hai Priya khaa hi rahi thi ki usne dekha thoda aage 2 bacche khade
the aur wo dono hi Priya ki aasha ki najar se dekh rahe the Priya ko khaate hue
bacho ko dekh kar aisa lag raha tha ki bohat wakt ho gaya hai unhe kuch khaaye
hue Priya ko ye dekh kar bohat bura lag raha tha usne socha ek to rhand ka
mausam hai aur upar se dono hi bhukhe hai Priya se abb akele khaaya nahi jaa
raha tha Priya ne dono hi bacche ko apne paas bula liya aur dono ke liye bhi
samosa ka order de diya tab tak Priya apna samosa khaa chuki thi baccho ko bhi
usne apne haatho se hi khilaana suru kiya paas me hi baitha Sameer ko ye sab
dekh bohat hairaani ho raha tha usne kabhi socha hi nahi tha ki Priya itni acchi
aur caring bhi ho sakti hai shaayad wo khud bhi public me ye sab nahi kar paata
Sameer abb bas Priya ki taraf dekhne laga aur saamne ka drishya me kho gaya
Priya ka ye roop Sameer ko bohat pasand aaya wo abb Priya me kho hi gaya iss
baar usne khud se bhi nahi pucha iss tarah Priya me khone ki wajah iss baar
usne apna dil ka baat suna aur Priya ki aur hi dekhta reh gaya kuch hi der me
Priya ne dono hi bachho ko pet bhar khila diya khaakar uthne ke baad baccho ne
Priya se kaha
Bacche:- thank you didi bohat wakt ho gaya tha kuch khaaya hua aap nahi hoti to
pata nahi aur kitna intejaar karna padta Priya ne baccho ki sar par pyar se apna
haath ferte hue pucha
Priya:- kuch aur khaaoge
Bacche:- nahi didi aapne itne pyar se khilaaya pet bhar gaya iske baad Priya ne
dono hi bacho ko kuch chocolates kharid kar pyar se bhej diya dusri taraf
Sameer ye sab dekhne me itna kho gaya tha ki usse to ye bhi pata nahi chala ki
kab bacche chale gaye aur Priya uski taraf hairani se dekh rahi hai
Priya:- Sameer kya hua tumhe? Priya ne Sameer ke kandhe ko hilaakar pucha
tab Sameer hish me aaya
Sameer:- nahi nahi kuch nahi Sameer bhi hosh me aate hi hadbada kar ye bol
diya Priya ko bhi Sameer ki harkat me bohat badlaaw najar aa raha tha kuch
dino se lekin usne iss baat ko ignore kar diya abb Sameer aur Priya ke bich fir ek
khaamoshi chaa gaya Sameer ko khud par hi gussa aa gaya aur wo khud se hi
ye sawal puchne laga ki wo kyu iss tarah se Priya me khota chala jaa raha hai
Sameer bina kuch kahe aage badh gaya aur dhaabe wale ko paisa dene ke aad
jaakar bike me baith gaya aur Priya ka intejaar karne laga Priya bhi jaldi hi aa
gayi aur Sameer ke piche baith gayi Sameer ko jab laga ki Priya acche se baith
gayi hai tab bina kuch baat kiye Sameer ne bike ko teji se chalana suru kar diya
kuch aage jaakar Sameer ne iss khaamoshi ko todte hue kaha
Sameer:- Priya aaj tumne jo bhi kiya bohat hi accha kiya shaayad main bhi
chaah kar ye sab nahi kar paata sabhi logo ke saamne ye sab karne me thoda
sharm bhi aata hai aur iske liye bohat himmat bhi chaahiye
Priya:- isme himmat nahi insaaniyat chaahiye agar dil me sacchaayi ho aur thoda
sa bhi insaaniyat hai to duniyadaari se koi farak nahi padta maine bhi iss baare
me kuch nahi socha ki duniya wale kya sochenge jo accha laga wo kiya bohat
dino ke baad ek aatma santusti mila aur khusi hone ka mauka dusro ki madad
karne ka bhi ek alag hi maja hota hai aur unn bacho ki muskaan ko dekh kar to
aaj itna khush lag raha tha ki picchle kuch dino ki apni saari gam bhil gayi Priya
ne ye baat muskurakar kaha Sameer iss baat par kuch jawaab nahi de paaya wo
abb gaadi chalane ki taraf dhyan dene laga aaj fir Sameer Priya se impressed ho
gaya aur hotel wali baat ko soch kar muskuraane laga laghbhag 1 ghanta aur
bike chalane ke baad Priya ne Sameer se pucha
Priya:- Sameer tum thik to ho?
Sameer:- han bilkul thik hun kya baat hai? Sameer ne bhi hairaani me puch liya
Priya:- nahi tum jis tarah se bike chala rahe ho usse yahi lagta hai ki tum bilkul
bhi thik bmnahi ho pehle bike teji se chala rahe the abb bohat slow chala rahe ho
aur aisa lag raha hai ki bike tumhaare control me nahi hai Sameer ko bhi laga ki
abb uski chori pakdi gaye hai iss liye jhuth bolne se koi faaida nahi darte hue aur
himmat karke usne sach bol diya
Sameer:- bhukh lag raha hai Sameer ki baat par maasumiyat tha
Priya:- tabhi to keh rahe the ki tumhe bhukh nahi lagi hai abb kya hua? Priya ne
thoda gussa aur haitaani ke saath pucha
Sameer:- ye mera time nahi hai khaane ka lekin bike chala kar thak gaya hun iss
liye bhukh lag gaya itni jaldi
Priya:- koi baat nahi aage bhi dhaaba hoga gaadi rok kar khaa lena Sameer ne
bhi dhire se kaha
Sameer:- thik hai fir kuch der baad dono ek dhaabe me pahunch gaye waha par
Sameer ne pet bhar khaana khaya aur thoda Priya ko bhi saath me thoda
khaane ke liye mana liya dono hi dhaabe se nikalne ke baad bohat khush najar
aa rahe th aaj ki iss safar ki wajah se kuch der rest karne ke baad Sameer fir se
bike chalaane laga aur fir dono ke bich ek khaamoshi chaa gaya Sameer ne abb
bike ko teji se chalaana suru kar diya aur bike tabhi ruka jab dono Priya ke ghar
ke saamne pahunch gaye Sameer ne ghadi me timw dekha uss wakt 1:00 pm
baj raha tha Priya ki gaanw aur ghar me aane ke baad Sameer ko kuch alag hi
mehsoos ho raha tha ek baar fir apne galti ki pal yaad aane laga aur khud par
aur Priya ke papa par bohat gussa aa raha tha bike ki aawaj sun kar Priya ki maa
aur papa dono baahar nikale Priya ne apni maa ka pair chua aur gale lag gayi
kuch der baad Sameer ne bhi Priya ki pair chuaa lekin usko Priya ki maa se
aankhe milaane me sharam aa raha tha Priya ki maa ki pair chhune ke baad
Sameer ne wo kiya jisne waha maujood sabhi ko chaunka diya Sameer ne aur
aage badh kar Priya ke papa ke bhi pair chuu liya Sameer ki iss harkat se Priya
aur Priya ki papa bhi buri tarah chaunk gaye unhe samajh nahi aa raha tha
Sameer ki iss harkat ki piche ki wajah pair chune ke baad Sameer ne gusse
bhari najar se Priya ke papa ko dekha aur apna gussa par kaabu karte hue aage
badh gaya sasural me Sameer aur Priya dono ko saath me rehne ke liye ek room
mila Priya apne parents se iss baare me kuch nahi kehna chaahti thi to Sameer
kuch keh nahi sakta tha dono ne socha kuch dino ke liye compromise karenge
dono apne safar ki wajah se bohat thak gaye the raaste me hi dono ne pet bhar
kar naasta kiya tha to dono ne waha par kuch khaaye bina hi fresh hokar soo
gaye
Shaam ke karib 5:00 pm me Sameer jaaga jaagne ke baad jaldi se fresh ho kar
wo fir se room me aaya wo apne bed par baith kar room ko acchi tarah se
dekhne laga aise hi idhar udhar dekhte wakt Sameer ka najar Priya par pada
Priya ekdam shaant baithi thi chehra me ek gambheer bhaaw najar aa raha tha
aisa lag raha tha wo kisi gehri soch me hai Sameer ne ek pal ke liye to socha ki
Priya se uske soch ke baare me puch liya lekin agle hi pal usne apna ye soch
jhatak diya aur apna najar Priya par se hatakar chup ho gaya Sameer ko lag
raha tha Priya abhi gehri soch me hai aur agar iss wakt usko kuch puch liya to
kahi Priya uss par bhadak na jaaye kuch pal ke liye dono ke bich ek khaamoshi
chaa gaya iss khaamoshi ko Priya ne toda aur Sameer se ek sawal pucha
Priya:- aaj tumne aate hi papa ka pair chhua Priya ne bohat gambheer aawaj me
pucha uski aawaj se pata chal raha tha ki kuch der pehle wo yahi baat soch rahi
thi Priya ki sawaal ka jawaab dene se pehle Sameer ek baar muskuraaya aur
bola
Sameer:- isme hairaani ki koi baat nahi jaan bujhkar maine unka pair chua aisa
nahi hai ki maine unhe maaf kar diya ya fir main unka izzat karta hun ek alag
makshad ke saath maine unka pair chua Sameer ki aawaj me Priya ke papa ke
liye bohat nafrat tha aur usne ek ek shabd chaba kar bola Sameer ki baat
khatam hone ke baad Priya Sameer ko ghurne lagi wo Sameer ki baat ka matlab
samajh nahi paayi
Sameer:- unhone ye shaadi kara kar accha to bilkul bhi nahi kiya mujhse panga
lekar unhone aur bhi galat kiya hai uss wakt to main majboor tha lekin abhi nahi
hun unhe itni aasani se chhodunga bhi nahi pair chhuna to ek bahana tha maine
unka pair iss liye chuya taaki main unhe mentally disturb kar dena chaahta tha
wo abb jarur soch me padd jaayenge ki maine unka pair kyu chhua jis tarah se
mujhe meri galti yaado ke jariye sata raha hai ussi tarah unhe bhi yaad karna
hoga unki galti unko bhi pacchtaawa hona chaahiye unki galti par din raat unko
bhi ghutna chaahiye apni galti yaad karke badla ke liye maine ye raasta chuna
hai chaahta to unhe buri tarah se peet kar apna dil ka bhadaas nikaal sakta tha
lekin aisa karne se kuch faaida nahi wo ek ya do din baad ye sab bhul jaayenge
aur isse mera sanskaar ka bhi apmaan hoga unse acchi tarah izzat ke saath
niptunga main laat aur ghusaa ki jagah apna jubaan ka istemaal karunga jubaan
se jo chot dunga wo jindagi bhar unko yaad rahega unko bhi unki hi najro me
giraa kar hi rahunga itna keh kar Sameer fir se chup ho gaya abb uske chehre
me gussa aur nafrat saaf mehsoos kiya jaa sakta tha Sameer ka chehra ka
junoon dekh aisa lag raha tha ki jo usne kaha hai wo karke hi rahega Sameer ka
chehra me gussa dekh Priya bhi ek pal ke liye chaunk gayi kuch pal pehle
Sameer ekdam shaant tha aur muskura raha tha lekin agle hi pal uske chehre
me itna gussa dikh raha tha ki uska pura chehra laal ho gaya tha kuch der
intejaar karne ke baad Priya ne kaha
Priya:- tum ye nahi kar paaoge papa ke paas agar thoda bhi sharmindagi baaki
rehta to mere saath ye sab bilkul bhi nahi karte agar tum unhe kuch keh bhi doge
to wo chup chaap sun lenge aur agle din wo ye sab bhul kar gir apne life aur
daru me busy ho jaayenge tumhaari baato se unhe koi fark nahi padega Priya ki
aawaj me bhi apne papa ke liye gussa saaf mehsoos kiya jaa sakta tha Priya
Sameer se baat karte wakt bhi apni papa ko izzat nahi de rahi thi yahi baat
gawahi de raha tha ki Priya apne papa se kitna naraaj hai aur nafrat karti hai
lekin usse ye nahi pata tha ki uski papa ki wajah se uske life me ek aur bada
tufaan aane wala hai aur ye tufaan uska aur Sameer ki life me bohat bada
badlaaw laane wala hai
Sameer:- 2 hafta hai mere paas itne dino me unhe itna torture kar dunga aur
unko unki hi najaro me giraaunga ki wo bhi apne galti ko yaad karke
pacchtaayenge Sameer se abb aur control nahi hua gussa itna badh gaya tha ki
wo Priya ke saamne nahi reh paa raha tha wo Priya ko apna nafrat aur gussa
dikhaana nahi chaahta tha iss liye wo room se kuch der ke liye baahar chale
jaana chaahta tha wo gate ke paas pahuncha hi tha ki piche mud kar Priya se
kaha
Sameer:- waise pair chhune ki kuch faayida bhi hai maa kehti hai ki agar hum
kisi dushman ke pair chhute hai to naa chaahte hue bhi usko apna haath
ashirvaad dene ke liye bhi uthaana hi padta hai kisi ke bhi pair chhu lo wo hame
aashirvaad hi dete hai uss pal chaah kar bhi ya na chaahte hue bhi waise bhi
apno se bade ke pair chhune se ham aur chhote nahi ho jaate hai Sameer ne
apne gusse me kaabu rakh kar Priya se kaha wo abb jaane hi wala tha ki girse
ruk kar bola ek aur baat kehna hai maine to tumhe sab kuch bata diya ki main
tumhaare papa se badla le kar hi rahunga pata nahi tumhe ye baat accha lag
raha hai ya bura agar bura bhi lage to mujhe iss baar koi fark nahi padega kyuki
iss baar main apna sabse bada dushman ke saath lad raha hun aur apne
dushman se haarne ki aadat aur chahat mujh me nahi hai abb isse aage Sameer
apne gusse par kaabu nahi rakh paaya jab usse ye mehsoos hua wo room se
nikal kar baahar chala gaya Priya bas Sameer ko dekhti reh gayi Priya ko abb
purana Sameer dikhne laga jo gussa me aur kisi se badla lene ke liye kisi bhi
hadd tak jaa sakta hai iss baar Sameer ke saamne Priya ke papa the Priya ko
dar lag raha tha ki Sameer firse kahi kuch galat na kar baithe
Raat ke 8:00 pm ke karib Sameer Priya aur Priya ke maa khaane ke liye baithe
the Priya ki papa abhi baahar gaye the sabhi khaana suru hi kar rahe the ki Priya
ki papa bhi aa gaye
Sameer:- aaiye sasur ji aapka hi intejaar kar raha tha Sameer ne majaak ke
saath apne saur ka swagat kiya majaak to sirf Priya ki maa aur papa ko lag raha
tha sach to sirf Priya aur Sameer hi jaante the ki iss majaak ke piche kitna nafrat
hai Priya ki papa ne Sameer ki baat par kuch nahi kaha aur wo bhi khaane ke
liye baith gaye
Sameer:- aaj to aisa lag raha hai suraj paschim se ugghai aapka chehra aur
harkat dekh kar to aisa lag raha hai aap aaj talli nahi hue hai kya abb aap ko
daru ka swaad accha nahi lag raha hai ya fir aaj daru ki dukaan band ho gaya
Sameer ne hanste hue majaak karte hue kaha abb usne apna mission suru kar
diya Priya ki papa abb Sameer ki taraf hairani aur gusse ke saath dekhne lage
Priya ki papa ke gusse se dekhne par Sameer ko kuch fark nahi pada andar se
to wo bhi bohat gussa tha lekin usne apne gussa ko dabaa ke rakha tha
Sameer:- kya hua sasurji bohat gusse me najar aa rahe hai kahi kisi se daru ke
dukaan me jhagada to nahi ho gaya daru ki dukaan me aapka Sameer ne Priya
ki papa ka majaak udaate hue kaha wo jaan bujh kar unko gussa dilaa raha tha
taaki apne mann ke bhadaas nikaal sake aur hua bhi waisa hi Sameer ki baato
se Priya ki papa ka gussa aur badh gaya unhone gusse se Priya ki taraf dekha
aur kaha
P dad:- isko chup rehne ke liye kaho tabhi se bakwas kar raha hai abhi main
gussa me hun aur iski baato se aur gussa aa raha hai main mehmaano ke saath
bura bartaaw nahi karta hun iska matlab ye nahi ki ye kuch bhi bolta rahe aur
main iske har bakwas sunta rahunga Priya ki papa ki aawaj me bohat gussa
najar aa raha tha lekin Sameer ko isse kuch matlab nahi tha Priya kuch bolti isse
pehle hi Sameer ne kaha
Sameer:- sasur ji baat ham dono ke bich me ho raha hai to aap Priya ko bich me
kyu ghaseet rahe hai Sameer ki har ek baat se Priya ki papa ka gussa badhta jaa
raha tha
P dad:- Priya aakhiri baar keh raha hun isko chup karwaao warna mujhse bura
koi nahi hoga tab se bakwaas kiye hi jaa raha hai abb to baap beti ki baato ke
bich me bhi ghus raha hai Priya Sameer ko kuch kehne hi wali thi ki Sameer ka
gusse se bhara hua aawaj waha maujood sabhi ke kaano me sunaayi diya
Sameer:- baap baap kehte hai aap khudko aap dalal hai dalal apni hi beti ka
dalal aap khud ko baap kehke baap shabd ka majaak mat udaaiye Priya ke papa
jitni tej aawaj me baat kar rahe the usse kahi guna jyada aawaj me Sameer
cheekha Sameer ki baat se sab khaamosh ho gaye Priya aur Priya ki maa bhi
dar gayi thi unhe andaaza ho gaya tha abb bohat bada jhagada hone waala hai
Sameer aur Priya ke papa ke bich
Sameer:- aap baap ke naam me hi nahi insaan ke naam me bhi kalank hai fir se
Sameer ki aawaj sabke kaano me pada Sameer ki gussa bhi har pal badhta hi
jaa raha tha Sameer ka gussa dekh Priya ki papa bhi ek pal me liye chup ho
gaye unhone Sameer ki taraf dekha Sameer ka iss wakt jo roop tha wo dekh kar
to koi bhi dar jaata aankh aur chehra gusse me laal tha aur uski aankh Priya ki
papa ki taraf tha koi bhi ye dekh kar bata sakta tha ki kitna nafrat tha unn laal
aankho me wo to Sameer tha jo khud par kaabu karke shaant baitha tha
P dad:- tum bhi to kam nahi the tumne hi idea diya tha shaadi ka mujhse jyada
jaldi tumhe tha shaadi ka tum bhi barabar ke jimmedaar ho iss shaadi ke liye aur
jab tum iss shaadi ke chakkar me fans gaye to abb mujh par bhadak rahe ho
Priya ke papa ne shaant aawaj me Sameer ka majaak udaane ke lahje me kaha
Sameer:- jitna socha tha uss se bhi jyada gire hue hai aap abb bhi iss tarah se
baat kar rahe hai jaise ye shaadi karwa kar bohat bada kaam kiya hai aapne aap
jaise gire hue insaan se to baat karna hi bekar hai main hi apna time waste kar
raha hun ek dalal se baat karke Sameer ka gussa kam hone ka naam nahi le
raha tha usne dalal shabd par jor dekar bola tha
P dad:- tum mujhe dalal kehna band karo Priya ki papa ne chhidhte hue gusse
me jawaab diya
Sameer:- kyu hakikat sun nahi paa rahe hai aap dalal hai aur rahenge ye main
nahi sabhi maante hai aur kehte hai Sameer jo koshish me laga tha wohi karne
jaa raha tha usne to pehle hi soch liya tha Priya ke papa ko unke hi najto me
giraayega p dad:- tumhaara to main itna keh kar Priya ke papa Sameer ki taraf
badhe hi the ki Sameer bhi aage badh kar apna haath unke chaati me rakh kar
unhe rokte hue bola
Sameer:- kya soch kar aage badh rahe hai aap mujhe maarenge haath laga kar
to dikhaaiye haath aur paanw tod kar rakh dunga aur budhaape me hadsi judta
bhi nahi chup chaap niche baith jaaiye Sameer ne gusse me bohat tej guraaya
itna tej ki waha maujood sabhi dar gaye Priya ke papa bhi
Sameer:- apni asliyat sunne me sharm aur gussa aa raha hai aur khud ko
bachaane ke liye mujh par iljaam laga rahe hai ha maanta hun maine bhool kiya
tha jindagi ke sabse bada bhool jis wajah se main khud ko maaf bhi nahi kar paa
raha hun pata nahi koi mujhe iss bhool ke liye maaf karega ya nahi lekin main
maanta hun mujh me maane ka himmat hai ki maine bohat bada bhoop kiya hai
apna bhool pata chalne ke baad maine koshish kiya tha apna bhool sudhaarne
ka sab kuch sahi chal raha tha lekin bich me aapne apna taang adaa diya aur
mujhe majboor kar diya Priya se shaadi karne ke liye shaadi ho jaane ke baad
bhi maine bohat koshish kiya apna bhool sudhaarne ka lekin abb mere vash me
kuch nahi hai aap khudko mujhse compare kar rahe hai aap pita hai Priya ke
lekin aapne kiya kya hai bachpan se abb tak usko sirf taklif hi diya hai kabhi baap
hone ka farj nibhaaya tak nahi pehle hi keh chuka hun aap baap ke naam me ek
kalank hai aur dharti ka ek bojh aapse jyada to shaayad maine Priya ka madad
kiya hai ye 2 months me bohat fark hota hai apno me aur paraaye main aap to
Priya ka apna hi the uska pita the pita ka sthaan aur kartavya aapko pata nahi
hai aapne Priya ke saath jo kiya hai wo to ek dalal hi karta hai paisa ke liye apne
beti ko bechne chale the main to ek paraya tha Priya ke liye aaj ka duniya hi aisa
hai ki log matlabi ho rahe hai apne faaidee ke liye kuch bhi karne se piche nahi
hat te agar main Priya ke liye galat sochta aur karta to dosh mera nahi hota
jamaane ka dosh maana jaata kyuki iss jamaane me dhokhe baajo ka kami nahi
hai apno ka dhokha dena aur paraaye ka dhokha dene me bohat fark hota hai
paraaye to dhokha dete hi hai lekin apne bohat kam dete hai jaise aap jaise
ghatiya log iss liye kabhi bhi bhul kar mujhe apne jaisa kabhi mat samajhna main
galat hun lekin aap jaise ghatiya sharaabi nahi mere baare me kuch bolne se
pehle ek baar aap khud ko puchiye ki aap hai kya puchiye apne antaraatma se
aapko sirf yahi jawaab milega aap ek sharabi hai aise sharaabi jisko sharab ke
alawa kuch nahi dikhta na hi apne pariwar aur nahi maan samman aap ko dekh
kar bas ek hi baat sochta hun kaise jee rahe hai abb tak kya aapko apne hi
jindagi se ghin nahi aa raha aap jee to rahe hai lekin hai ek jinda laash aur dharti
ka bojh jiska iss duniya me koi kaam hi nahi hai bekar hai aapka jindagi na hi koi
izzat nahi koi samman pure gaanw me badnaam hai aap gaanw ki baat chhodiye
aapke ghar me hi koi aapko izzat nahi deta ghar ki baat chhodiye aap to khud ki
hi najaro me gir gaye honge sab kuch tabaah kar diya aapne aur aapke daru ki
aadat ne Priya ka bachpan se lekar abb tak ka jivan kaisa hoga ye main soch bhi
nahi sakta nahi aapne apne patni ke saath accha kiya hoga dono ki jindagi me
aapki wajah se ghutan taklif aur badnaami chhod kar kuch bhi nahi hoga ek baar
aap apne patni yani ki sasu maa ki taraf dekhiye aapke siwa unka kaun hai
sahara aapke hi khaatir iss ghar me hai barso se bohat expectations tha shaayad
unhe jab wo aapse shaadi karke aayi thi lekin aap ki sharaab ki aadato ne unka
saara sapna tod diya hoga ek baar insaan baniye aur dekhiye inke chehre ko aur
kahiye aapne sahi kiya hai inke saath inhone to aapka barso se saath diya ye
jaante hue bhi ki aap kitna ghatiya hai chaahti to aapko chhod kar jaa sakti thi
apna jindagi ko naye tarike se suru kar sakti thi lekin aapko iss haal me nahi
chhoda ek umeed hoga unka ki aap kabhi na kabhi to sudhrenge hi lekin ye
umeed kabhi pura nahi ho saka inhone aapke liye itna kuch kiya lekin kya aapne
kabhi bhi inke liye kuch kiya hai siwaay dard aansu aur taklif chhod kuch nahi
diya hoga aapne inhe aap to sharaab ke nashe me iss tarah dub gaye the ki
aapko apni beti bhi kabhi dikhaayi nahi diya hoga kabhi Priya ka bachpan aur
uska masoomiyat nahi dikha hoga agar dikhta to aapne ek pita ka dharm aur
kartavya nibhaaya hota bachpan to chhodiye jawaani me bhi aapne Priya ka
dalali hi kiya hai isse jyada paap ek pita kabhi kar hi nahi sakta khair chhodiye
inn sabhi baato se kuch nahi hone wala hai aapko dekh kar sochta hun ki aap
kitne besharm insaan hai jisko apna sharm aur izzat ka kuch matlab nahi gaanw
me koi aapka respect nahi karta sabhi aapko sharaabi aur bewda ke roop me
jaante hai koi izzat nahi hai aapka itna kehkar Sameer utth ke khada ho gaya aur
apne room ki taraf jaane laga fir usse kuch yaad aaya aur kaha
Sameer:- jaanta hun meri baat aap samajh nahi paayenge ya fir samajhna nahi
chaahte lekin isse mujhe koi fark nahi padega sirf aapko fark padega aur tab
padega jab aap aur buddhe ho jaayenge jab aap ko koi sahara ki jarurat hoga
tab padega aapne kisi ko apna samjha hi nahi hai aur nahi kisi ke liye accha kiya
hai koi aap ka saath nahi dega tab tab jaakar aap khud ko akela mehsoos
karenge lekin tab koi aapka saath nahi dega uss wakt aapko apna galti dikhega
aur uss wakt aap khud ko kosenge pachtaayenge aur apni sharabi hone par
khud se nafrat karenge lekin koi faaida nahi koi aapka saath nahi dega aap akele
me khud ka galti mehsoos karenge tab yaad aayega aapko ki aapne Priya aur
sasu maa ke saath kitna naa insaafi kiya hai tab aap issi paschataap me mar
jaayenge aur aapka ye maut ka koi keemat nahi hoga sab sochenge ek bewda
mar gaya aur dharti ka bojh kam ho gaya aapke hone aur nahi hone se kisi ko
kuch fark nahi padne wala hai issi liye kehta hun aap ek baar aayine ke saamne
khade ho kar sochiye aap kya hai kaise hai aur kya kar rahe hai ek baar apni
acchaayi aur buraayi ke baare me bhi sochiye itna keh kar Sameer apne room
me chala gaya gussa abhi bhi uske chehre se saaf jhalak raha tha usko yakin tha
ki uska itna sab kuch kehne ke baad Priya ke papa par kuch to fark pada hi hoga
Sameer to apne badla lene ke liye Priya ke papa ko unke najaro me giraana
chaahta tha lekin iss baat ka anjaam aisa hone wala tha ki wo soch bhi nahi
sakta tha jo bhi hone wala tha accha hi hone wala tha Sameer ke jaane ke baad
Priya aur uske parents ke bich ek gehra sannata chaa gaya tha koi kuch bol nahi
paa raha tha sabhi ko pata tha Sameer ne jo kaha hai bilkul sach kaha hai bhale
hi kehne ka tarika kaisa bhi ho kuch der baad Priya bhi apne hi kamre me aa
gayi Sameer ki taraf dekha usne jo abhi gehra soch me duba hua tha Priya iss
wakt usko kuch kehne ke haalat me nahi thi iss liye apne bed par sone ke liye
chali gayi usko samajh me nahi aa raha tha ki jis tarah se Sameer ne uske papa
se baat kiya wo sahi tha ya nahi lekin maahaul aur haalat ko dekh kar usne abhi
chup rehna hi behtar samjha kuch der baad Priya ke maa aur papa bhi apne
room me chale gaye sone ke liye
Raat ke 12:00 baj raha tha lekin kisi ko bhi neend nahi aa raha tha dinner me
hua tamasha ke wajah se Priya ki papa bhi Sameer ki baat sunne ke baad soch
me padd gaye the jab unko chhain nahi mila to utth kar khade ho gaye aur Priya
se baat karne uske room ki taraf chale gaye Priya ki papa Priya ke room ke paas
pahunch gaye wo gate knock karne hi wale the ki kuch soch kar haath piche
khinch liya unhone mobile me time dekha to raat ke 12:00 am baj raha tha unhe
laga ki Priya abhi so rahi hogi aur iss wakt usko jaga kar baat karna thik nahi hai
unhone socha wo kal subah hi baat karenge Priya se issi soch ke saath wo apne
room me chale gaye sone ke liye lekin neend unke aankho se koso dur tha puri
raat bina soye hi beet gaya saari raat wo sirf Sameer ki kahi hui baatein hi soch
rahe the
Subah karib 7:00 am par Priya ki papa firse Priya ki room ke paas chale gaye
unke chehre me ek aisa bhaaw tha jo kisi ne shaayad pichle 25 saal se nahi
dekha hoga unke chehre ko dekh kar aisa lag raha tha wo khud se sharminda
hai wo Priya ka room ka gate knock karne hi wale the ki fir se apna haath
waapas khinch liya iss baar wo himmat nahi kar paaye wo Priya ko kaise face
karenge aur kya baat karenge yahi soch baar baar unke dimaag me aa raha tha
aur jab ye khayal unke dimaag me aaya ki unko Priya ke saath Sameer ko bhi
face karna hoga to unka jo bhi himmat tha wo ek hi pal me gaayab ho gaya kuch
der aur koshish kiya unhone gate par knock karne ka lekin nahi kar paaye wo
Priya ke room ke paas idhar udhar tehalne lage aur himmat jutaane ka koshish
karte rahe aise hi 1 ghanta aur beet gaya lekin wo himmat jutaa nahi paaye
kareeb 8:00 am par Sameer ne gate khola raat me der se sone ke kaaran uski
aankh abhi bhi laal tha wo fresh hone hi nikla tha ki uska najar paas me hi khade
Priya ki papa par pada Priya ki papa ko apne room ke paas dekhte hi wo chaunk
gaya usse unka waha rehne ka wajah samajh me nahi aa raha tha p dad:- beta
Priya se thodi der kuch baat karna chaahta hun Priya ke papa ne himmat karke
kaha Sameer ko unki iss baat me bohat fark najar aa raha tha lekin usne kuch
khaas dhyan nahi diya bina kuch bole chal diya fresh hone Sameer ke jaane ke
baad hi Priya ke papa ne room ki gate ke paas pahunche aur knock kiya
prya:- gate khula hi hai locked nahi hai andar se Priya ka chhidha hua aawaj
aaya Priya ko laga ki gate par knock Sameer kar raha hai Priya ki baat khatam
hone ke baad hi Priya ke papa gate khol kar andar chale gaye saamne Priya
abhi bhi bed me leti hui thi Priya ki papa ki najar Priya ki peeth ki taraf tha
P dad:- Priya tumse kuch baat karna hai Priya ki papa ne himmat karke kaha ye
aawaj sunke Priya chaunk gayi bohat din ho gaya tha jab Priya ne apne papa ke
mouh seapna naam suna tha ye pehli baar tha jab Priya ki papa ki aawaj me
unke beti ke liye pyar tha Priya jhatke se utth kar baith gayi aur apne papa ki
taraf dekhne lagi Priya ko vishwas hi nahi ho raha tha tha ki saamne uske papa
khade hai ek pal ko to usko laga ki kahi wo koi sapna to nahi dekh rahi hai jab
usse yakin hua ki ye sach hai to uske dimaag me aaya ki aakhir kya baat karna
chaahte hai hske papa uske saath aur wo bhi itne saalo ke baad
P dad:- aaj apna galti kabool karne aaya hun tumhaare paas Priya ke papa ne
himmat jutaa kar kaha ye kehte hi unhone Priya se najre chura liya unke paas
abb itna himmat nahi tha ki Priya ki aankho me aankh daal kar apni galtiyon
kabool kar paaye Priya to ye sunte hi chaunk gayi usse vishwas nahi ho raha tha
apne kaano par uski papa aur apni galtiyan kabool kare ye to usne apne sapne
me bhi nahi socha tha jab usne apne papa ki chehre ko dekha to chehra me
sharmindagi tha lekin jab uski najar apne papa ki aankho me gaya to usne gusse
ke sath kaha Priya ki papa ki aankhein raat bhar na sone ki wajah se laal tha
Priya:- lagta hai aaj subah aapne kuch jyada hi pee liya hai baad me baat
karenge Priya ki aawaj me apne papa ke liye nafrat saaf jhalak raha tha bohat
din baad Priya ne apne papa se baat kiya tha kabhi baat karne ka jaroorat bhi
nahi pada tha lekin jab aaj baat kar rahi thi to uske baato me nafrat saaf jhalak
raha tha
P dad:- har baar laal aankho ka ye matlab nahi hai ki main sharaab pikar nashe
me hun iss baar mera aankh laal iss liye hai kyu ki kal raat bhar main soo nahi
paaya Sameer ki baat aur apna 25 saal pehle ki jindagi ko yaad karte hue Priya
ki papa ki aawaj me sharmindagi tha aaj pehli baar apni beti ke mouh se khud ko
sharaabi sunna unko chot pahuncha raha tha isse pehle to unhe koi parwaah
nahi tha
Priya:- kya fark padta hai aapka galti kabool karne se kuch badal to nahi jaayega
P dad:- jaanta hun beti bohat galtiya kiya hai maine inn 25 saalo me galti nahi
shaayad paap kiya hai aur aaj main khud ko itna gira hua mehsoos kar raha hun
ki tumse maafi tak nahi maang sakta kaun si mouh se maangu maafi aur mere
paap maafi laayak bhi nahi hai mujhe praayaschit karna hoga apne galtiyo ka
Priya ki papa ne Priya ki nafrat ka parwaah kiye buna hi apni baat aage kehna
chaalu kiya unki aawaj sunne ke baad Priya ko bhi yakin ho gaya ki wo sach me
apna galti kabool kar rahe hai koi dikhaawa nahi kar rahe hai lekin Priya ko inn
sabhi baato se kuch fark nahi pada chaahe uske papa jitna bhi galtiyan kabool
karle aur jitna bhi praayaschit karle uski beeti hui jeevan ko waapas to nahi laa
sakte the jab bachpan me usko uski papa ki jaroorat tha tab uski papa apne
sharaab ki duniya me vyast the uski choti choti farmaaish aur jidd ko pura karne
ke liye uske papa uske paas nahi the yaha tak ki uska haal chaal puchne ke liye
bhi uske paas uske papa nahi the uske papa ko to ye tak pata nahi tha ki unka
ek beti bhi hai aur unka kuch jimmedaari bhi hai apne beti par Priya ka bachpan
to baap hone ke baawjood anath jaisa bita tha baap ka farz bhi uske maa ne hi
puraa kiya tha jab bhi wo apne papa se pyar aur ek aasha ke saath baat karne
jaati usse apne papa ki taraf se sirf daant aur maar hi milta tha kabhi papa ka
pyar aur saath Priya ko nasib nahi hua jiske liye wo tarasti thi bachpan se hi usne
papa ke bagair jeene ka sikh liya tha bachpan kya jawaani tak kabhi bhi uske
papa ne uske saath dhang se baat nahi kiya tha aur ek baar bhi apna beti nahi
maana tha uske papa uske ghar me ek mehmaan ki tarah the jika uss ghar ke
koi bhi sadasya se koi rishta nahi tha agar unka kisi se koi rishta tha to sirf
sharaab ke saath bachpan se lekar jawani tak Priya ke maa ne hi uske liye maa
aur baap dono ka kartavya nibhaaya tha Priya aaj jo bhi thi unki hi pyar aur
mehnat k wajah se hi thi jawaani ke wakt me bhi jab gaanw me kuch awara ladke
usko chhedte thhe tab bhi iss baat ka shikaayat wo apne papa se nahi kar paati
thi uss wakt bhi papa apne jimmedaari nahi nibhaa paaye kisi tarah khud hi apna
rasha kare wo apne jindagi me aage badhti rahi upar se gaanw bhar me sabhi
uska majaak udaate the ki wo ek bewda aur sharaabi ki beti hai gaanw me izzat
bhi naa ke barabar tha apne baap ki saza usko aur uski maa ko bhugatna pad
raha tha bas ek maa ka hi sahara tha jis wajah se wo saari duniya se ladti hui
aage badh paayi thi Priya ko abb wo din yaad aa raha tha ki itni mushkilon se
usko paala usko padhaya aur uski jindagi ko kisi laayak banaya Priya ko aaj apni
maa ki taklif aur himmat yaad aane laga aaj ek baar fir Priya ke dil me apne maa
ke liye pyar aur izzat firse badh gaya aur saath hi apne papa ke liye nafrat bhi jab
Priya ke papa ne uske marji ki khilaaf uska shaadi karaya uski maa aur usko
emotionally blackmail karke tab se to Priya ko pita shab se vishwas hi utth gaya
tha ek pita ka kaam hota hai apne bache ko mushkil se bachana,uska hifaazat
karna uska taakat banna aur saari duniya se uske liye ladna lekin Priya ke papa
ne apni beti ko bachana to dur apne faayida ke liye usko hi bech diya uski jindagi
ke saath khilwaad karne ke liye jitna gunehgaar wo Sameer ko maanti thi usse
kayi jyada apne papa ko ye sab bat yaad aate hi Priya ko apne papa se bohat
nafrat hone laga abb uske papa apne galti kabool karke maafi maang rahe hai
aise kaise wo apne papa ko maaf kar sakti thi itna sab kuch ho jaane ke baad
maafi maang rahe hai to bhi kab jab kuch baaki hi nahi raha ye sab baat yaad
karte hi Priya ki aankho me aansu ke saath nafrat ki bhaw aa gaya
P dad:- sharaabi aur bewda main jaan boojh kar nahi bana haalato se majboor
hokar mujhe banna pada lekin main is baat se inkaar nahi karunga ki maine galat
kiya bohat galat hun main jindagi me bohat galtiya kiya hai lekin sirf 3 insaan ke
saath tum tumhaari maa aur Sameer jiska ehsaas mujhe kal rat ko hua Sameer
ke baat sunne ke baad maine jo galtiya kiya unme kuch mera sharaab ki aadat
gair jimmedaari aur laaparwahi hai to kuch majbooriya aur haalat jisne mujhe
majboor kar diya aaj issi baare me baat karna chaahta hun beti please meri baat
ek baar sun lena Priya ki papa ki issi baat ne Priya ko uske khayal se bahar
nikala aur usne apne papa ko dekha jinke chehre me sharmindagi aur ankho me
aansu tha
P dad:- tumhe lagta hoga na main kitna galat aur gira hua insaan hun tumne
jabse hosh sambhaala hai aur mujhe dekha hai tab se tumne mujhe ek sharaabi
aur bewda hi samjha hoga han tumhara soch sahi hai hun main ek bewda aur
iska mujhe kal tak koi pacchtaawa bhi nahi tha paschataap wo bhi kiske liye
kabhi kisi ko apna nahi maana maine daru ko chhod kar 25 saal ho gaye mujhe
sharaab se dosti kiye aur abhi tak yahi mera saathi hai ek saccha saathi jisne
abhi tak mera saath nahi chhoda mera dukh me saath diya hai ateet ki unn kadwi
yaadein jispar agar kisi ne malham lagaya to sirf wo daru hi hai daru hi ek jeene
ka sahara ban gaya mere liye aur sahara se kab aadat ban gaya pata hi nahi
chala ek aisi aadat jisse mujhe hamesha chhain aur sukoon hi mila kabhi iss
aadat par mujhe afsos nahi hua 25 saal pehle ki baat hai aaj jo main hun 25 saal
pehle main thik iska ulta tha daru ko kabhi haath bhi nahi lagaya tha uss wakt iss
gaanw ka sabse padha likha insaan tha hamesha dusro ka care karta tha mann
me kabhi koi paap anahi tha aur naa hi kisi ke liye koi bura chaaha insaan tha
aur insaaniyat par yakin karta tha sabhi ka madad karta tha aur uss wakt aisa
lagta tha ki sabhi mujhse khush hai aur mujhe pyar karte hai izzat dete hai lekin
ye sab ek dikhaawa tha chhal tha apne ghar ka main bada beta tha mujhse chote
mere do bhai bhi the maa ka saath bachpan me hi chhut gaya tha ek papa the
jinhone kabhi hamaara parwaah kiya hi nahi sirf paise ke hi piche bhaagte rahe
paiso ki koi kami nahi tha hamaare paas khet aur jameeno ki bhi koi kami nahi
tha papa ka hote hue bhi unka pyar kabhi nahi mila hame ek bada sa mahal me
rakh kar naukaro ka hawale karke chal pade paisa kamane dukh to bohat hota
tha maa ka pyar to kabhi mila hi nahi aur papa ka pyar ke liye bhi taraste the jo
kabhi nahi mila paisa aur aiso aaram ka koi kami nahi tha papa se jo bhi cheej
maangte the wo laa dete the lekin kabhi hamaare saath unhone wakt nahi bitaya
kabhi pita ka pyar aur saath nahi mila jab bhi iss baare me unse baat karta tha to
hamesha kehte the ki wo hamare liye hi to wo paisa kama rahe hai hamaare liye
hi to wo itni mehnat karte hai jab main kehta ki hame pisa ki nahi aapka pyar ka
jarurat hai to daant aur maar hi padta tha wo kabhi nahi badle aur apne soch par
hi kaayam rahe issi tarah ek din wo ham sab ko chhod kar duniya se hi chale
gaye lekin jaane se pehle unhone hame akele jeena sikha diya tha jaise taise
maine khud ko sambhala aur aage badhne ka soch liya aur mujhe apne chote
chote bhaiyo ko bhi sambhaalna tha unka jindagi bhi sawarna tha aur unko kisi
laayak banana tha main apne bhaiyo se bohat pyar karta tha bas wo hi to reh
gaye the mere jindagi me maa aur papa ke jaane ke baad main hi dono ke liye
maa aur papa tha unko paalne me maine apne taraf se koi kami nahi rakha tha
khud bhi padhta tha aur unhe bhi padhata tha ghar ka saara kaam bhi khud hi
karta tha duniyadaari bhi acche se samjhaya duniya ki acchayi aur buraayi ke
baare me bhi bataya main jo kuch bhi kar sakta tha wo sab maine kiya apne farj
ko imaandaari aur khushi ke saath nibhaate gaya unki khushi me hi mera khushi
tha apne bhaiyo ke saath jee raha tha khushi khushi issi tarah din beet ta gaya
aur main b sc padhne shehar me aa gaya apne bhaiyo ko itna kaabil bana diya
tha ki wo akele bhi reh sakte the aur ghar me kuch naukar bhi the unka khayal
rakhne ke liye shehar me padhaayi ke dauraan hi mujhe ek ladki se pyar ho gaya
tha tumjari maa uss ladki ki dost thi tumjari maa mujhe kabhi pasand nahi thi
pata nahi kyu wo hamesha hi mujhe apne pyar ke khilaaf bhadkaati rehti thi kehti
thi ki main jis ladki se pyar karta hun wo acchi ladki nahi hai wo mere paise ke
liye mujhse pyar ka naatak kar rahi hai bohat baar samjhaaya usse ki uske baare
me kuch mat kahe lekin wo maanr ko taiyaar hi nahi thi piche hi padd gayi thi aaj
tak nahi samajh paaya hun wo aisa kyu karti thi aur kyu mere piche lagi hui thi
khair main usse ignore karke apne pyar aur sapno me hi vyast hone laga har din
mera pyar aur deewanapan badhta hi jaa raha tha mujhe kabhi aisa nahi laga ki
wo ladki kise main pyar karta hun wo mujhe dhokha de rahi hai shaayad uss
wakt kuch jyada hi sharif tha iss liye uski niyat kabhi pata nahi chala wakt teji se
aage badh raha tha mera soch se bhi tej mera maana tha ki sabhi log mere
baare me accha hi sochte honge kyuki maine kisi ke saath galat nahi kiya tha
balki jitna ho sakta tha utna sabhi ka madad karta tha lekin kya pata tha ki hads
se jyada sharif banna bhi khud me hi ek gunaah hai wakt teji se chalne laga ya
main piche reh gaya pata hi nahi chala apne pyar aur duniya me iss tarah kho
gaya tha ki mere aage piche kya chal raha hai wo bhi pata nahi chal raha tha ek
din mujhe uss ladki ka bewafaayi ke baare me pata chala lekin bohat der ho
gaya tha uski bewafaayi ke baare me tab pata chala jab main uske pyar me
paagal ho gaya tha kitna sapna dekha tha maine ham dono ke liye pal bhar me
saara sapna bikhar gaya dil toot gaya mera sacha pyar ke saat itna ghinauna
majaak kiya usne lekin main kuch nahi kar paaya jab usko pucha iss baare me to
ekdam sidha jawaab mila tuhaare paise ke liye pyar ka naatak kiya tha itna bol
kar chali gayi aur kabhi piche mud kar nahi dekha bewafaayi ke baad suruwaati
pal kitna mushkil se bitaaya ye to sirf main hi jaanta hun dil me ek dard aur
aankho me aansu ke siwaay kuch nahi tha sambhaalna mushkil tha lekin
sambhalna pada apne liye nahi apno ke liye jab mujhe apne bhai ka yaad aaya
to socha agar main hi aise rahunga to unka kya hoga kya jawaab dunga unhe
yahi ki jisne unhe haalato se ladna sikhaaya aaj wo khud hi haar gaya ek
bewafaayi ki wajah se itna tut gaya ki wo iss tarah se gair jimmedaar ho gaya jab
ye khayal apne dimaag me aaya to soch liya ki pehle ki tarah sambhal jaaunga
thoda koshish karne ke baad sambhal bhi gaya uke baad maine bhi apni jindagi
me kabhi piche nahi dekha uss ladki ko bhul kar aage badh gaya apna padhaayi
khatam karne ke baad main waapas apne gaanw aa gaya jaha se mere jindagi
puri tarah se badalne laga bohat jhatka milne laga sab ek ke baad ek sabse
pehla jhatka tumhaari maa ke roop me ek din uske pitaji aaye hamaare ghar uke
liye rishta lekar lekin maine mana kardiya maine kabhi usko pasand kiya hi nahi
tha uski dost ki bewafaayi ke baad to bilkul bhi nahi lekin mujhe apne bhai aur
dosto ke saamne jhukna hi pada dono bhai ne ujhe mana hi liya shaadi ke liye
maine aaj tak unka koi baat nahi taala tha iss liye ye baat bhi unn dono ke liye
maan hi liya gaanw k bujurgon ne bhi kaha shaadi kar lene ke liye aur ladki bhi
bohat acchi aur sanskaari hai maine bhi sabhi ki baat maan liya aur kar liya
shaadi shaadi ke baad jindagi 1 saal tak to normal bi chalta raha tumhari maa
mere liye kya sochti hai wo na tab pata chal paaya na abb pata chal raha hai
aakhir kya tha uski najaro me uski baato se to aisa lagta ki kabhi wo mujhse pyar
karti hai aur kabhi nahi aaj tak issi uljhan me hun main mujhe tumhaare maa e
pyar to kabhi nahi hua tha lekin fir bhi main apna jimmedaari acchi tarah se nibha
raha tha life issi tarah se aage badh raha tha paiso ki to koi kami tha nahi lekin fir
bhi main gaanw ki school me padhaane laga gaanw ki baccho ko padhaane me
ur unke saath wakt bitaane me bohat accha lagta tha unka padhaayi ka kharcha
bhi main hi uthaata tha kisi tarah khud bhi khush rehna chaahta tha aur dusro ko
bhi khush rakhna chaahta tha lekin jindagi ka sabse bada jhatka bhi bohat jald hi
mil gaya wo bhi apne hi bhaiyon se kisi tarah se unhone mujhse dhokhe se
property ka saara papers sign karwa liya aur mujhe hi ghar se nikaal diya mujhe
to uss pal vishwas hi nahi hua laga ki ek bura sapna hai kaash wo sapna hi hota
jab pata chala ki ye hakikat hai to bohat dukh hua jindagi ka sabse bada dukh
itna to uss ladki ka bewafaayi se bhi nahi hua th jitna mere bhaiyo ki gaddari ki
wajah se jinn bhaiyon ko main apna sab kuch maanta tha bilkul apne baccho
jaise paala tha kabhi bhi koi mushibat ka saamna karne nahi diya khud ko taklif
aur musibat me daal kar unka hifaazat kiya tha lekin unhone kya kiya mujhe hi
beghar kar diya mera mehnat ko mera pyar ko meri kurbaani ko ek majaak bana
diya mujhe to daulat ka kabhi shauk nahi tha ek baar maang lete sab kuch unka
naam kar deta lekin nahi un kamino ne dhokha diya mujhe bohat dukh hua jab
apne hi dhokha deta hai to bohat bura lagta hai kisi tarah khud ko sambhal kar
apne patni ke saath idhar udhar bhatakta raha jaan pehchan walo ke paas gaya
kuch dino ke liye rehne ke liye lekin kisi ne jagah aur saath nahi diya kisi ne
madad nahi kiya mushkilo ke wakt me main unn sabhi ke paas gaya jinko maine
madad kiya tha lekin sab bhul gaye aur dudh me se makhi ki tarah nikal kar fenk
diya bohat bura laga ek baar sochne par majboor ho gaya maine kya kiya aur
mujhe kya mila sabhi ke liye accha kiya lekin sabhi ne mere saath hi galat kiya
mera acchayi aur sharaafat ka ye jawaab diya gaanw me kisi ne saath nahi diya
samajh gaya wakt ke saath sab badal gaye hai aur unka asli chehra bhi dikh
gaya hai bas road par bhatak raha tha ki tabhi mujhe mera ek dost mila bas usne
hi mera madad kiya usne hi mujhe ek bank account ka yaad dilaaya paisa dekha
to 20 lakhs ke laghbhag tha bas wo hi bacha tha mere paas kisi tarah se uske
baad ek chota sa ghar liya gaanw me hi ye wahi ghar hai jaha abhi ham reh rahe
hai aur wahi bank ke paise ke byaj se sabhi ghar ka kharcha chalne laga main
apne saath hua dhokha ko yaad karne laga dimaag me badla lene ka khayal
aaya lekin kaise leta koi bhi mere saath nahi tha siwaay uss dost ka do dost mil
kar kya kar sakte the abb unka (bhaiyon) ka power itna badh gaya tha ki unn tak
pahunchna bhi naa munkin tha uss time jab maine tere maa se iss baare me
kuch kaha to wo kuch nahi boli aur wakt to uski baatein kaan me dard paida kar
deta tha lekin jab main usse baat karna chaahta tha to khaamosh rehti thi bas
itna kehti thi ki sab kuch thik ho jaayega aise kaise thik ho jaayega jab kuch
karunga hi nahi to mujhe uss par gussa aane laga aur baat karna bhi band kar
diya usse uss wakt to ye bhi lagta tha ki usne mujhse shaadi paise ke liye kiya
hai aur abb mere paas kuch baaki nahi hai to abb mujhse piccha chhudana
chaahti hai mujhe bhi kuch parwah nahi tha bas uake jaane ka intejaar karne
laga bas sochne me hi apna dimaag lagata tha ki kisi tarah unse badla le paau
lekin kabhi mauka hi nahi mila kuch din baad pata chala ki tera maa pregnant hai
tabhi mera bujha hua chhota sa aasha badh gaya socha ki agar beta hua to
badla lene ka tarika mil gaya hai socha ki bhale hi main mar jaau lekin mera
badla nahi marna chaahiye apne beta ko iss tarah paalunga ki uske dil me unn
logo ke liye badla ke feelings paida karwaunga aur baaki ka accha sanskar bhi
dunga lekin mujhe niraasha hi haasil hua jab tumhara janam hua mere saare
sapne mitti me mil gaya aur main puri tarah se haar gaya mujhe apna beijjati aur
gaddari baar baar yaad aane laga jine ki iccha bhi khatam ho gaya aakhir kiske
liye jita koi bhi to apna nahi tha apno ne hi dhokha diya jinda maar diya ek patni
thi jo baat bhi nahi karti thi jindagi se pareshaan ho gaya tha lekin itna kaayar bhi
nahi tha ki aatmahatya kar lu issi liye main apne dost ke paas gaya wo daru ka
dukaan chalata tha aur ussi ke paas se daru ki aadat daal liya kisi tarah apne
gam ko bhulaana chaahta tha aur dhire dhire karke khud ko mitaana chaahta tha
isa duniya ki moh maya se baahar nikalna chaahta tha uske baad main apne
daru ki aadat me iss tarah vyast ho gaya ki mujhe kuch pata nahi chala main
kaun hun aur mere paas kaun hai saara gaanw mujhe bewda kehkar hansta tha
lekin mujhe koi fark nahi padta tha unki tarah main nich aur kamina to nahi tha
daru ki nasha me main iss tarah kho gaya ki kabhi pata bhi nahi chala ki meri ek
choti beti bhi hai jisse main uske koi galti ki bina saja de raha hun pata nahi kyu
maine tere saath itna galat kiya shaayad darta tha ki kahi tu bhi baaki ke log ki
tarah to nahi niklegi jo mera kaam ho jaane ke baad apne raaste se hata degi
bhaiyo ki dhokha ki wajah se itna dar gaya tha ki kisi par bhi yakin nahi karna
chaahta tha insaaniyat par se viswaash utth gaya tha uske baad main apne
tarike se jeene laga naa koi sapna naa koi iccha sab kuch khatam ho gaya apne
bhaiyo se badla lene ka soch bhi bhul gaya bhagwan par chhod diya sab kuch
aur bhagwan ne insaaf bhi kiya aaj ek ko paralysis hai to ek andha ho gaya hai
daru hi mera sahara tha jeene ka apne gam ko bhulne me daru ne hi saath diya
kabhi kabhi sochta tha ki abhi tak teri maa mere saath kyu hai lekin agle hi pal
main ye khayal jhatak deta tha ye sochkar ki mujhe kya matlab uske baad mera
aur teri maa ke bich sirf itna hi hota tha ki wo raat ko mere liye bhi khana bana
deti thi aur main chup chap khaa kar so jaata tha kabhi usse baat nahi kiya aur
naa hi tujhse apni patni aur beti ke liye ek ajnabi ban gaya shaayad ye mera
sabse bada galti tha uss wakt to afsos nahi hua lekin aaj ho raha hai itna keh kar
Priya ke papa chup ho gaye aur Priya ki taraf dekhne lage Priya ki aankho aur
chehra me gussa dard aur hairaani teeno ke mile jule bhaaw tha wo aage bolne
hi wale the ki Priya ne kaha
Priya:- aap kehte hai ki aapki koi galti nahi kiya lekin aapne mera shaadi Sameer
se karwaya jabardasti kya wo aapka galti nahi tha aur iss baat ka bhi jawaab
dijiye ki aaj 25 saal baad aisa kya ho gaya ki aapko apna ateet ke baare me
bataaana pada aur mujhse baat karna pada Priya ne gusse ke saath kaha uske
chehre me jo hairaani aur dard tha wo usne chipaa liya Priya ki papa ne fir se sar
jhuka kar kehna suruwat kiya
P dad:- tumhaari shaadi Sameer se karwana hi mera galti nahi hai aur bhi galtiya
kiya hai maine jo uss wakt pata nahi chala lekin aaj afsos ho raha hai aur main
yahi sab bataane aaya hun ki ek hi raat me aisa kyu hua ki main tumhe sab kuch
bataane chala aaya iske baad Priya ki papa bolte chale gaye
P dad:- apno se aur gaanw walo se mila hua dhikha aur haar ne mujhe itna tod
diya tha ki mujhme itna taakat nahi bacha ki aage badh paau aage badhta to bhi
kiske liye koi apna najar nahi aaya mujhe iss khudgarz duniya me ek baat pata
chal gaya tha ki iss matlabi duniya me mujh jaisa insan ke liye koi jagah nahi hai
apna kehne ke liye koi nahi tha abb ek patni aur ek beti thi tumhari maa ne bhi
mujhse baat karna band hi kar diya tha pata nahi kya tha uske dimag me aur kya
expectation tha uska mujhse mujhe laga ki wo bhi mujhe chhod kar chali jaayegi
bas ussi ka intejaar tha mujhe khud ko taiyar kar liya tha puri tarah se akela ban
jaane ke liye jab bhi tumhara chehra dekh leta tha suruwat me to kaafi mushkil
hota tha khud ko tumhe dekhne ke liye lekin kisi tarah khud par kabu kar leta tha
main nahi chaahta tha jab bhi tumhe tumhaare maa le jaaye to main fir se kisi ke
liye udaas aur pareshaan ho jaau pehle hi aadat daal lena chaahta tha akela
jeene ke liye main intejaar karta raha lekin wo jaa hi nahi rahi thi thoda thoda
hairaani to ho raha tha lekin kabhi wajah pucha nahi issi bich main apni sharb ki
aadat me iss tarah ulajh gaya ki mere aas paas kya ho raha hai iss baat ka bhi
pata nahi chal raha tha main daru pee raha tha ya daru mujhe pee raha tha ye
baat main nahi samajh paaya uss wakt dhire dhire daru ki lat ki wajah se maine
khud ko hi kho diya apna character soch aur apni saari khaasiyat kho diya teri
maa se bhi koi baat cheet nahi hota tha kuch baato ke alawa wo apne jarurat ke
saaman ke liye paise maangti thi aur main de deta tha kabhi iske alawa kuch
baat nahi kiya dhire dhire tu badi hoti gayi aur bolne bhi lagi tu kabhi kabhi aati
thi mujhse baat karne ke liye lekin main tujhe khud se alag kar deta tha iss baar
pehle wali wajah nahi tha iss baar daru ka asar tha main abb itna sakht aur
nirdayi ban gaya tha ki mujh me sahi aur galat samajhne ka taakat nahi raha
yaha tak ki mujhe ye bhi yaad nahi rehta tha ki meri koi beti bhi hai daru ne
mujhe itna nirdayi bana diya tha ya fir ye kehna bhi galat nahi hai ki maine khud
ko itna nirdayi bana liya tha ki mujhe teri masoom chehra aur aankho ki aansu ka
bhi koi fark nahi padta tha jab tu thoda aur badi ho gayi aur school jaane laayak
ho gayi tab pehli baar teri maa ne mere saath ladaayi kiya main nahi chaahta tha
ki tu padhe puraane khayalaat to nahi lekin main ye jarur jaanta tha ki jab tu
padhegi tab guardian ke roop me mujhe bulaaya jaayega bas yahi wajah tha abb
main koi bhi jimmedaari nahi uthaana chaahta tha kisi ke liye bhi nahi tang aa
gaya tha main inn sab chijo se khair uss wakt teri maa jeet gayi aur maine haar
maan liya jyada vahas karne se accha ki tera admission hi kara deta hun aur
maine gaanw ke school me hi tera admission kara diya uske baad jyada kuch
nahi hua teri maa mujhe chod kar nahi gayi lekin hamaare bich ke dooriyan
bohat badh gaya uske chehre me main apne liye gussa aur nafrat aane laga tha
lekin mujhe koi fark nahi pada wo abb apne jaroorat ke saaman ke baare me
mujhse baat nahi karti thi subah ek paper me likh deti thi aur main bhi paisa rakh
deta tha isse jyada kuch nahi hota tha hamaare bich han kabhi kabhi ladaayi ho
jaata tha tere padhaayi aur baaki ke baato ke liye 12 tak to tune gaanw se hi
padha uske baad jab bba ke liye shahar jaane wali thi tab fir se ladaayi hui
shaayad tujhe nahi pata ye baat lekin yudh hi hone wala tha hamaare bich main
tere aage ke padhne ke khilaaf tha aur wo tujhe har haal me padhana chaahti thi
ek baar fir se main hi haar gaya tu padhne chali gayi uske baad sab kuch pehle
jaisa ho gaya main apne duniya me vyast aur tu aur teri maa apne duniya me issi
tarah teri maa ki wajah se fir se tu mba bhi padh paayi fir se mera haar ho gaya
haarne ka to aadat hi pad gaya tha fir se tera mba khatam hone tak waisa hi
chalta raha jaisa chalta aa raha tha aur aakhiri baar main apne jimmedaari
nibhaane gaya na chaahte hue bhi tera padhaayi ke baare me waha main gaya
hi tha ki mujhe Sameer mila usne mujhe tere baare me bataya ye bataya ki tu
kisi ladke ke saath koi pyar ki chakkar me hai aur padhaayi me bohat kamjor hai
mujhe tujh par tera iss jhooth ki wajah se bohat gussa aaya usne mujhe tera
shaadi ka idea diya jo mujhe bilkul bhi pasand nahi aaya main nahi chaahta tha
ki teri shaadi me main dahej du ek to ye gunaah hai lekin wajah ye nahi tha main
kisi ke saamne jhukna nahi chaahta tha ki main usko paisa de kar tera shaadi
karwaau tab Sameer ne mujhe ye bataya ki agar main tera shaadi kisi bewda se
karwaunga to ulta mujhe hi paisa milega pata nahi kya hua tha uss wakt main
maan gaya jab ghar me aakar iss baare me socha to galat laga aur maine wo
plan mere dimag se nikal diya ko tera shaadi kisi bewda se karaunga lekin
gaanw me jo izzat baaki tha isse nahi gawana chaahtw tha iss liye tera shaadi
Karana jaruri ho gaya tha maine jab iss baare me apne wo ek louta dost ke saath
baat kiya to usne kaha ki uska beta Pratap tujhse shaadi karne ke liye taiyar hai
koi dahej ki baat nahi hua aur isme mujhe koi burai bhi najar nahi aaya maine
turant han kar diya uss wakt mujhe tera aansu fir nahi dikha bohat pehle hi maine
tera aansu ko najar andaaj kar diya tha abb mujh me koi emotion ka fark nahi
padta tha main aaj tak tere maa se haarta hi aaya tha lekin iss baar maine haar
nahi maana aur har haal me shaadi karwana chaahta tha isse pehle gaanw walo
tak tere aur shahar ke kisi ladke ke pyar ke baare me pata chale pata nahi
gaanw walo ke saamne main kya tha aur kya sochte the lekin main kabhi galat
nahi tha iss samaaj ke liye lekin agar tera prem kahani sabke saamne aa jaata to
sach me main unke liye majak ke patra ban jaata jo main nahi hone dena
chaahta ek sharabi hone ke baawjood apna izzat ka khayal tha uss wakt pata
nahi kitna gira hua insan ban gaya tha uss wakt jo apne beti tak ka fikar nahi kiya
maine jab shaadi ka wakt aaya to achanak hi wo Sameer aa tapka aur aate hi
mujhe shaadi rukwane ki baat karne laga gussa to itna aa raha tha ki uss wakt to
usko wohi maar deta usse lekin kisi tarah apne gusse par kaabu rakha ek to
bakwas idea diya tha college me agar wo idea maan kar ek bewda se tera
shaadi karwa deta to apni hi beti ka jindagi barbaad karne ka paap lagta aur meri
wajah se teri jindagi nark se bhi bura ban jaata Pratap ko maine jitna jaana tha
usse to yahi lagta tha ki wo ek accha ladka hai iss bich maine tera wo pyar kya
naam tha uska Karan uske baare me pata lagaya pata chala ki wo ek ghatiya
type insaan hai pyar par to pehle hi vishwas utrh chuka tha aur iss baat ne mera
yakin aur badha diya pehli baar socha ki abhi tak tere liye padhaayi ka
jimmedaari to uthaaya hi hai abb shaadi ka jimmedaari bhi utha hi leta hun aur
tujhe vida kar deta hun isa tarah se mera kartavya bhi khatam ho jaata aur main
aage ki jindagi sukun ke saath jee kar mar sakta tha lekin Sameer ka waha aana
aur sach bataane se mujhe bohat gussa aaya uski iss baat se mujhe laga ki usne
mere saath khel khela aur mujhe bewkoof samjha ye baat mujhse bardast nahi
hua koi mujhe itna bada bewkoof kaise samajh sakta hai aur aakhiri wakt me aa
kar mujhe hukum deta hai shaadi rukwane ke liye jaisa ki main uska gulam hun
aur to aur wo mujhse paise ka baat bhi kar raha tha socha ki iska paisa ka
ghamand tod deta hun aur isko iska saja bhi milega mujhe uski baato se itna to
pata chal gaya tha ki wo accha ladka hi hai insaan ko pehchaane ki shakti nahi
bhula tha us wakt dimaag me yahi aaya ki iska galti ka saja isko mil kar hi rahega
aur maine usko majbur kar diya usko hi shaadi karne ke liye itna keh kar Priya ki
papa chup ho gaye kuch pal ke liye aur fir aage kehna lage
P dad:- abb tumhara aakhiri sawaal ka jawaab aakhir ek hi raat me aisa kya jadu
ho gaya ki main tumse aakar baat karne laga aur apni galtiya ke baare me baat
karne laga Sameer ne kal raat aisi kayi baatein mujhse kaha isse sunne ke baad
main sochne par majbur ho gaya aur natija aaj saamne hai usne bohat saari
baatein kaha jisme se 2 baato ne mujhe sochne par majbur kiya tumhe lag raha
hoga wo 2 baatein ye hai ki ek main dharti ka bojh hun aur dusra jab baad me
main akela pad jaaunga tab mujhe apni galti ka ehsaas hoga aur issi liye main
tumse maafi maangne aa gaya lekin ye sab nahi hai wo 2 baatein ye hai ki ek
main pita ke naam me kalank hun aur dusra tumhaari maa itne wakt se mere
saath reh rahi hai marne se kabhi dar nahi laga kyu ki ye raasta maine khud
chuna tha aur iska koi afsos bhi nahi hai sabse pehle to iss baat ne mujhe
pareshaan kiya raat bhar ki tumhaari maa kaise ek bewde ke saath itne wakt se
rahi kya wajah ho sakta hai usko aaj tak main samajh nahi paaya uska
khaamoshi hi iska badi wajah tha kaash kabhi to wo mujhse aache se baat karti
aur main bhi uska dil ka baat jaan pata lekin wo hamesha se chup hi rahi kabhi
nahi jaan paaya usse aur uska ye khaamosh roop ki wajah se jab daru peena
suru kiya tab bhi wo chup rahi kuch nahi boli kya karta main mujhe laga wo bhi
abb mujhe pasand nahi karti iss liue mera fikar nahi karti hai main gair jimmedaar
hua jaa raha tha fir bhi wo khaamosh rahi main galti ke upar galti karta jaa raha
tha fir bhi wo khaamosh rahi abb main kya karta jo sahi laga wo kiya main akela
mehsus karne laga khudko aur iss baat ka dar tha ki wo tujhe apne saath le
jaayegi uske baad to main puri tarah se akela ho jaaunga iss wajah se maine
khudko akela hi rakhne ka aadat daal liya jab wakt bitne laga aur wo mujhe chod
kar nahi gayi to mujhe ajeeb laga par baat nahi kar paaya ek jhijhak sa lagne
laga aur ego bhi jab wo mujhse baat nahi karti to main kyu karu kya kami hai
mujhe apni duniya me khush hun isse jyada kya chaahiye dhire dhire main ye
baat bhul gaya aur kal hi Sameer ki baato se waapas ye sochne par majbur ho
gaya aakhir kaise 25 saal usne mere saath khaamoshi se apna jindagi gujaara
bohat socha jab sutuwat se socha to mujhe laga wo jarur mujhse pyar karti thi
shaayad jab main uske dost se pyar karta tha tab lagta tha ki wo mujhse pyar
karti hai yakin nahi tha par shak tha lekin main kisi aur se pyar karta tha issi
wajah se ye soch apne khayal se nikal diya jab mera sab kuch loot gaya aur wo
khaamosh rehti thi to mujhe uska khaamoshi dekh kar laga ki paise jaate hi uska
pyar ya fir jo bhi tha wo khatam kyuki uke dost ne bhi to mujhse paise ke liye
pyar ka naatak kiya tha lekin kal jab maine socha ki agar pyar khatam ho jaata to
25 saal kaise usne jee liya mere saath tab jaakar mujhe pne galti ka ehsas hua
agar usne mujhse baat nahi kiya to kya hua mujhe to baat karna chaahiye tha
bohat galat kiya maine agar baat kar leta aur mujhe pata chalta ki wo bhi mujhse
pyar karti hai to shaayad main uske liye khud ko badal leta aur aaj ye nahi hota
iske baad ek aur galti hua mujhse galti nahi paap sach kehta hai Sameer pita ke
naam me kalank hun aakhir kaise itna gir sakta hun ki apni beti tak ka fikar nahi
kar paaya ek beti ke liye uska pita sabse karib hota hai lekin main besharam
hamesha usse dur bhaagta raha kitna galat ban gaya main main bas isko haalat
ko dosh nahi de sakta kuch galtiya meri murkhata ki wajah se hua hai aur kuch
haalat ki wajah se kaah maine uss pal thoda himmat aur apna dimmag ka
istemaal karta aur tumhaari maa se iss baare me baat karta lekin main mushkil
palo me ek kaayar nikla aur haalato ka saamna nahi kar paaya aur bewda ban
gaya aur uske baad to maine khud ko hi kho diya aur na jaane kitna galat aur
anyaay kiya tum dono par raat bhar issi galti ko soch kar main pareshaan tha aur
ek baar tum dono sebaat karne ke liye tadap raha tha itna keh kar Priya ki papa
chup ho gaye aur apna sar jhukaaye hi khada rahe wo Priya ki aankho me dekh
nahi paa rahe the Priya ki chehre me bhi koi bhaaw nahi tha usse samajh me
nahi aa raha tha ki kya bole abb ussi wakt firse Priya ki papa ki aawaj aaya
P dad:- ho sake to mujhe maaf mat karna beti mera paap ka saja itna chota nahi
hai ki itni jaldi maafi mil sake aaj pehli baar main khud ko apni hi najaro me gira
hua maan raha hun lekin abb kuch kar bhi nahi sakta 25 saal maine barbaad kar
diya itne wakt me tere maa ke saath bohat bada naa insaafi kiya hai maine
chaah kar bhi nahi laa sakta wo 25 saal ko waapas na hi teri bachpan ko bohat
mann karta hai aaj wo nanhi si masoom Priya se baat karne ka uske saath
khelne ka uski ungliyon ko pakad kar chalne ke liye sikhaane ka pith par bitha
kar school le jaane ka tere liye kisi se bhi ladne ka lekin itna majbur hun ki kuch
nahi kar sakta khud ki jindagi par thukne ka mann kar raha hai bhale hi kisi ne
mere saath kuch bhi kiya ho lekin mujhe tere saath itna galat nahi karna
chaahiye tha afsos ho raha hai ki tu aisa ghatiya ghar me paida hui jaha tera pita
itna ghatiya ho bohat sochne ke baad abb ye faisla kiya ki koshish karunga abb
ye daru ki aadat chodne ka aur baaki ka jindagi tere maa ke saath acche se
bitaaunga pata nahi abb kitna jiunga main daru bhi itna pee liya hai ki kabhi bhi
mar sakta hun lekin mera maut par kabhi aansu mat bahana mera antar aatma
bhi mujh dhikaarega abb to bas itna hi socha hai ki bhale hi der ho gaya hai
bohat der ho gaya hai lekin jitna bhi jindagi baaki hai abb isse daru me nahi
barbaad karunga teri maa ke liye jiyunga abb jo shaayad bohat pehle hi kar dena
chaahiye tha afsos rahega ki tere liye kuch nahi kar paaunga lekin tere liye dua
jarur karunga ki tu hamesha khush rahe itna keh kar Priya ke papa room se
chale gaye wo aage bol paane ke haalat me nahi the aur nahi Priya ki kadwi
baatein sun paane ki Priya ke papa ke room se jaate hi Priya soch me pad gayi
soch aur hairaani dono maujood tha uske chehre me bohat der tak wo apne
papa ke baare me sochti rahi lekin kabhi faisla kar nahi paayi ki aakhir kaise hai
uski papa kabhi usse wo bohat ghatiya lagta to kabhi majbur issi soch me sochti
reh gayi wo lekin kuch faisla nahi kar paayi usse to ye bhi samajh me nahi aa
raha tha ki usse apne papa ke liye gussa hona chaahiye jo bhi unhone unn dono
ke saath kiya ya fir dukhi hona chaahiye jab apne papa se uska dhyan hata to
Sameer par aa kar tik gaya aur wo ek baar fir Sameer ke baare me sochne par
majbur ho gayi aakhir kaun hai Sameer aur uski jindagi me aane ke baad uski
jindagi kis tarah se badal gaya hai Sameer jab apne room se nikla tha tab wo
fresh hone ke baad ghar se baahar nikal kar ghum raha tha usse Priya ke papa
ke chehre ko dekh kar itna to pata chal gaya tha ki wo kuch jaruri baatein karna
chaahte the Priya se iss liye itna time intejaar karne se behtar hai ki thoda ghum
fir le jab 1 ghanta tak wo ghar ke aas paas ghum karghar ki taraf aaya to gate ke
paas me baithi Priya ki maa par uska najar gaya Priya ki maa ko dekhne ke baad
usko fir apne shaadi ke din yaad aa gaya uss din Priya ki maa ka dukhi aur dar
se bhara hua chehra yaad aaya Sameer ko fir khud par gussa aaya lekin ye wakt
khud par gussa hone ka nahi tha galti kiya tha to abb wo usse bhaag bhi to nahi
sakta tha Sameer Priya ki maa ke paas gaya aur dhire se bola
Sameer:- maa ji
Sameer ki iss baat se Priya ki maa ka dhyan toota unhone Sameer ko dekha
nahi tha wo apne kiso soch me dubi hui thi aur chehre me udaasi aur pareshaani
najar aa raha tha jab Priya ki maa ki najar Sameer par gaya to unhone bhi
dheemi aawaj me kaha
P mom:- tum yaha kuch chaahiye the kya?
Sameer:- nahi aise hi ghum raha tha lekin aap aise kyu baithi hai koi pareshaani
hai kya?
P mom:- nahi beta aisi koi baat nahi hai thoda sa sar me dard tha Priya ki maa
ke kehne ke tarike se Sameer ko pata chal gaya ki wo jhuth bol rahi hai usne
pehle hi unke chehre ko gaur se dekh liya tha aur aisa lag raha tha ki koi wajah
to jarur hai jo unhe pareshaan kar rahi hai
Sameer:- nahi maa ji chehre se hi dikh raha hai ki aap kisi wajah se pareshan hai
agar aap nahi kehna chaahti hai to koi baat nahi main force nahi karunga itna
keh kar Sameer ghar ke andar jaane laga tabhi piche se aa rahi Priya ki maa ki
aawaj sun kar wo ruk gaya
P mom:- pareshaani to hai lekin abb ye koi nahi baat nahi hai aadat ho gaya hai
ye sab kuch sehne ka iss ghar me kabhi bhi shaanti nahi aayegi hamesha hi
jhagada hota rahega main aur meri beti ki jindagi me kabhi accha din nahi
aayega Priya ki maa ne pareshaan si aawaj me kaha
Sameer:- sorry maa ji kal pata nahi kaha se itna gussa aa gaya ki bohat kuch bol
diya maaf kar dijiye agar kuch bhi galat bol diya ho to Sameer ne piche mud kar
fir se Priya ki maa ki paas aa kar kaha
P mom:- nahi beta tumne kuch galat nahi kaha usme Priya ki papa ka galti tha ye
sab jo bhi ho raha hai aaj iss sabke piche wo hi jimmedaar hai agar wo acha aur
saccha insaan hote to aaj jo bhi ho raha hai aisa kuch nahi hota Priya ki maa ki
aawaj me kuch nafrat tha apne pati ke liye kuch der chup rehne ke baad Sameer
ne bohat himmat karke bola
Sameer:- pata nahi mere paas ye hak hai bhi ya nahi ki main aap sabse maafi
maang saku galti nahi gunaah kiya tha maine aur yahi gunaah mujhe pareshaan
kar raha hai baar baar aur khud ki najaro me gira raha hai par yakin maaniye
mera ye sab karne ka bilkul mann nahi tha nafrat aur badla ki wajah se andha
hokar maine ye sab kar diya naa hi main ye sab karta aur naa hi aap sabhi ki
jindagi prabhaawit hota Sameer ki aawaj me ek aatmaglani tha
P mom:- beta galti to sabse hota hai lekin iss baar galti itna bada hai ki iski wajah
se Priya ki jindagi ko bohat buri tarah se prabhaawit kar diya tumhaari aankho
me sacchaayi aur galti ka ehsas to maine shaadi ke din hi dekh liya tha jis tarah
se tum Priya ki papa ko manane ki koshish kar rahe the usse saaf dikh raha tha
ki tum apni bhool ke liye kitna pacchta rahe ho lekin ahut der ho gaya koi kuch
kar nahi saka Priya ki papa ki jidd ki aage kisi ki chal nahi saka main tumhe
gunehgar nahi maan sakti kyuki iss shaadi ki wajah sirf aur sirf Priya ki papa ki
jidd hai agar wo maan jaate to ye shaadi kabhi hota hi nahi unke saamne
tumhara ye bhool kuch bhi nahi hai beta tumne to paraya hokar Priya ke liye
ladaayi kiya aakhiri pal me lekin Priya ke papa uska apna ho kar bhi apni beti ki
jindagi par bhi koi taras nahi khaaye abb jo ho gaya usse badal to nahi sakte
lekin aage kya karna chaahiye iss baare me abhi jarur soch sakte hai aur hame
wohi karna chaahiye waise bhi maine suna tha ki jo hota hai acche ke liye hi hota
hai aur aaj ye baat sach bhi lag raha hai agar tumhari shaadi Priya se nahi hoti to
Priya hamse aa kar uske aur Karan ke pyar ke baare me kehti main uske khushi
ke liye ye shaadi kara deti kisi bhi haal me jo ki ek bohat bura faisla hota Karan ki
asliyat ka abb pata chala hai uss time kisi ko ye baat pata nahi tha aur agar Priya
ki shaadi Karan se hota to uski bhi jindagi meri tarah ho jaata wo bhi wohi galti
karti jo maine kiya tha ham dono ko hi galat insan se pyar hua tha aur main nahi
chaahti ki meri beti ki jindagi bhi meri tarah taklif me gujre abb tum dono ke
shaadi hone ke baad Priya uss dhokhebaaz se bach gayi abb 1 saal ke intejaar
ke baad divorce ho jaayega aur uske baad sabhi ki jindagi pehle ki tarah normal
ho jaayega iss shaadi ne sabhi ki jindagi me ek bohat bada tufaan jarur laaya
lekin ek bohat badi galti hone se bach gaya Priya ki maa ne Sameer ko
samjhaate hue kaha unhe pata tha ki Sameer apni iss bhool ke baad kitna toot
gaya hai aise me unhone Sameer ko samjhaya aur wo apne pati ki galti ko chupa
bhi to nahi sakti thi Sameer ko ye baat sun kar thoda sukoon jarur mila ki Priya ki
maa usse naaraj nahi hai kuch der yunhi chup rehne ke baad Sameer ne himmat
karke ek aur sawal pucha
Sameer:- maa ji ek aur sawal puchna tha aapse agar bura lage to maaf kar dijiye
lekin kal raat se yahi sawal mere dimaag me ghum raha hai ki aap Priya ke papa
ke saath itne wakt se kaise rahi unke jaise ghatiya insan ke saath rehna khud me
hi ek bura saja hai aap chaahti to unhe chhod kar jaa sakti thi aur acche se apne
jindagi aage badha sakti thi lekin aisi kya majburi tha jo aapko unke saath hi
rehna pada wo bhi itne wakt se? Sameer ke dimaag me jo sawal itne wakt se
chal raha tha wo usne puch hi liya Sameer ka iss sawal se Priya ki maa firse 25
saal pehle ki yaado me chali gayi dil me fir se ek dard utha ye dard tha unka pyar
ka unki choti si ek galti ka aur galat wakt me galat decision ka unhone kehna
suru kiya
P mom:- pyar karti thi main unse lekin unhone kabhi mujhe pyar nahi kiya wo
meri dost se pyar karte the aur issi wajah se unse jaan pehchaan ho gaya unse
apne dost ke saath unse milte milte kab unse pyar ho gaya pata hi nahi chala
unki sharafat acchaayi caring nature aur baat karne ka tarika dekh kab mujhe
unse pyar ho gaya pata hi nahi chala jaanti thi ki wo mere nahi ho sakte wo
mujhse nahi meri dost se pyar karte the bohat mushkil se apne dil par kaabu
karke unse dur rehne ki koshish karti thi baad me jab pata chala ki meri wo dost
unko paise ke liye pyar ke naatak karti thi hai to mujhe bohat hairaani hua apne
dost ko samjhaane ki koshish bhi kiya ki aise dhokha dena thik nahi lekin wo nahi
maani maine unhe apne dost ke asliyat ko unhe bataaya bhi lekin wo nahi
maane pyar me andha ho gaye the aur kuch dikh nahi raha tha kuch dino ke
baad jab sachaayi pata chale wo bilkul toot hi gaye the kisi tarah khud ko
sambhala unhone unke aansu mujhse dekha nahi jaa raha tha jab bhi unko
sambhaalne jaati wo mujhe khud se dur kar dete the pata nahi meri pyar me aisa
kya kami tha jo unhe mera pyar dikh nahi raha th kuch wakt baad wo bilkul thik
dikh rahe the lekin asal me the nahi maine socha abb main hi unka khayal
rakhungi aur unhe apna pyar dungi kisi na kisi din unhe mera pyar bhi najar aa hi
jaayega maine apne maa se baat kiya aur unhe apne pyar ke baare me bata diya
maa papa maan gaye aur unke ghar me rishta bhijwa diya gaya wo bhi maan
gaye shaadi ke liye (iske baad Priya ki maa ne Sameer ko saari kahani bata diya
Priya ke papa ke saath hua dhokha unka akelapan aur sharab ki kahani) kya
karti main uss wakt unka wo gussa wala roop dekh kar dar gayi thi mujhme ek
kami tha ki main jyada nahi bolti thi aur aise haalat me unse bolne se dar bhi
lagta tha ki kahi wo mujh par hi gussa na nikaal de jo shayad meri sabse badi
galti thi socha tha ki kuch dino baad sab kuch thik ho jaayega lekin kuch thik nahi
hua haalat aur kharab hote chale gaye wo kab ek sharabi insan se sharabi ban
gaye wo bhi pata nahi chala main bas intejaar kar rahi thi sahi wakt aane ki wo
wakt jisme shaayad wo sudhar sakte the bas ye intejaar karti rahi ki wo apna
badla aur baaki ki baato se apna dhyan hata kar apne pariwar ke liye aage ka
soche unhe ek do baar samjhane ke koshish bhi kiya lekin samjha na saki upar
se unka gussa aur mera khaamoshi maine sab kuch wakt ke haath me chhod
diya ki kabhi to u he mera pyar aur apna jimmedaari dikhega lekin aisa kabhi
nahi hua jab Priya ka janam hua tab ek aasha badh gayi ki shaayad abb wo din
aa jaayegi lekin aisa kuch nahi hua haalat aur bigad gaye wo ek sharabi ban
gaye abb to unse baat karne me bhi dar lagta tha abb sab kuch bhagwan
bharoshe hi tha ki sab kuch thik ho jaaye lekin wakt bita saal bita aur ek jamana
beet gaya fir bhi kuch thik nahi hua Priya jab badi ho gayi tab main bhi uska
khayal rakhne me vyast ho gayi abb Priya ko lekar unhe chhodne ke sawal bhi
paida nahi hota hai puri gaanw me badnaami hoti aur Priya par bhi bohat asar
padta majbur ho gayi thi abb waha rwhne ke liye kuch aur saal beet jaane ke
baad bhi jab wo nahi sudhare tab unpar gussa bhi aane laga lekin unhe kuch fark
nahi padta tha mujhse aur Priya se unka koi matlab nahi tha unhe bas apni hi
duniya me vyast aaj to wo itna galat insan ban gaye ki apne beti tak ko nahi
chhoda aaj to itna nafrat aa raha hai unn par ki bata nahi sakti gussa aata hai
khud par ki maine kaise insaan se pyar kiya aur kyu maine apni jindagi iss insaan
ke liye barbaad kar diya sach me bohat bada galti ho gaya mujhse thoda sa pyar
karne ki galti aur jamaane ke dar ke saath meri jindagi aise insaano ke haath me
aa kar kharab ho gaya kabhi kabhi ye bhi sochti hun ki meri khaamoshi hi meri
sabse badi galti to nahi tha shayad mujhe unse baat bigadne se pehle hi baat kar
dena chaahiye tha aur apne dil ki baat bhi keh dena chaahiye tha to shaayad aaj
haalat aise nahi hote lekin meri ye galti unke galti ke saamne kuch nahi hai wo
itna na samajh aur gair jimmedaar to nahi the ki baat samajh nahi sakte the
unhone jaan bujhkar apne liye wo jindagi chuna hai agar pehle hi pata chalta ye
baatein to unhe ussi wakt chhod deti aur unke saath jindagi kharab karne ki galti
nahi karti itna kehkar Priya ki maa chup ho gayi chehre me ek dard aur aankho
me aansu tha Sameer ko bhi ye sab baat sun kar bohat ajeeb aur bura laga
Priya ki papa ke jindagi ke atit ki kahani sun kar usse bhi ek jhatka laga kuch der
tak Priya ki maa ke saath baat karne ke baad wo apne room me aa gaya room
ke andar jaate hi dekha ki Priya ek bed me lait kar kuch soch rahi thi Sameer
abhi baat karne ka mood me nahi tha aur wo bhi apne bed me lait kar Priya ki
maa ke kahi hui baatein sochne laga wo apne soch me duba hi tha ki Priya ki
aawaj ne uska dhyan toda
Priya:- thanks a lot Sameer Sameer ne jaise hi ye suna wo chaunk kar Priya ki
taraf dekha Priya ki hontho me ek muskaan tha pehli baar Priya ne muskura kar
aur itne acche se Sameer se baat kiya tha Sameer ko pata nahi kya hua wo
Priya ki muskaan me khone lag gaya muskuraate hue Priya aaj usse bohat
sundar lag rahi thi wo befikar ho kar bas Priya ke chehre ko hi dekhe jaa raha tha
Priya ne bhi iss baat par dhyan nahi diya wo to abhi bohat khush thi ki usne
Sameer ki najaro ka picha bhi nahi kiya
Priya:- Sameer Sameer ko shaant dekh kar Priya boli Sameer bhi Priya ki aawaj
se waapas hosh me aaya hosh me aate hi usse pata chala ki wo kya kar raha
tha khud par usse yakin nahi hua aur khud se hi sawal karne laga ki aaj kal wo
Priya me aise kyu khone laga hai agle hi pal usse yaad aaya ki usse Priya ko
jawaab bhi dena hai abb bina der kiye usne jawaab diya
Sameer:- thanks kis liye
Priya:- kal raat tumne papa ke saath jo baat kiya uske baad papa ek dum se
badal gaye pata nahi main unhe kabhi maaf kar paaungi ya nahi lekin unke
badalne se maa ke liye bohat accha rahega kam se kam budhaape me unko
unka pati ka saath milega bachpan se lekar aaj tak unhone akele hi apne dam
par mujhe paala hai jindagi bhar mehnat karti rahi hai abb to unki baaki ki jindagi
chain se kategi thanks Sameer aaj tak ma apne papa ko kabhi badal nahi paayi
tumne to aate hi ek din me ye jaadu kar diya main apne maa ke liye bohat khush
hun iske baad Priya ne wohi kani dohrana suru kar diya aur Sameer bhi issi
dauraan Priya ke chehre me ek baar fir khota chala gaya ek alag hi sukoon mil
raha tha usse Priya ne kareeb 10 minute me Sameer ko sab kuch bata diya Priya
bina Sameer par dhyan diye sab kuch bolti jaa rahi thi Sameer bhi iss mauke ka
faaida utha kar Priya ko dekh ne laga pata nahi wo aaj kyu Priya ki taraf khincha
chala jaa raha tha aaj usne pehli baar Priya kj chehre me ek maasomiyat dekha
aur uska aawaj utna hi surili fir se kho gaya wo Priya me jab Priya ne apni baat
khatam kiya tab Sameer ko ek dam se khaamosh aur uske sthir chehre ko apne
taraf dekh kar wo chaunk gayi usse samajh me nahi aa raha tha ki aaj Sameer
ko ho kya gaya hai
Priya:- Sameer aise kya dekh rahe ho? Priya ne thoda hairani ke saath pucha
Sameer Priya ki baat sun kar hosh me aaya jab usse pata chala ki wo kya kar
raha tha to fir se usse khud par gussa aaya wo abhi tak jaan nahi paaya tha ki
baar baar uski najar Priya par na chaahte hue bhi kyu chala jaata hai aur Priya
par najar jaate hi wo usme kyu khone lag jaata hai
Sameer:- nahi kuch soch raha tha Sameer ne baat sambhaal kar kaha
Priya:- aise kya soch rahe the jo itni der tak palkein jhapkaaye bina ek tak mujhe
dekh rahe the Priya ne bhi hairaani ke saath pucha usse Sameer ka aaj ka roop
dekh kar bohat hairaani ho raha tha
Sameer:- tumhaare papa ke baare me soch raha tha unki kahani bhi bohat ajeeb
hai sach me haalat insaan ko kya se kya bana deta hai bas kuch hi pal pehle ki
baat hai tumhare papa ke liye mere mann me bohat nafrat bhara tha lekin abb
unke baare me kya sochna chahiye ye bhi samajh me nahi aa raha hai Sameer
ye baat kehte kehte serious ho gaya
Priya:- mujhe bhi bohat ajeeb lag raha hai unka baat sunne ke baad lekin samajh
me nahi aa raha hai ki unhe maaf kar dena chaahiye ya nahi tum kya sochte ho
iss baare me? Priya ki baato se lag raha tha ki wo bohat confused hai Sameer:-
iss baare me main kuch nahi keh sakta jo tumhe sahi lage wo karo faisla
tumhaare haath me hai koi bhi faisla galat nahi hoga iss maamle me lekin
shaayad main unhe itna jaldi maaf nahi kar paaunga itna keh kar Sameer chup
ho gaya dono hi ek uljhan me padd gaye the Priya ki papa ko lekar iske baad
dono ke bich ek khaamoshi sa chaa gaya jisko tod kar Sameer ne kaha
Sameer:- pata nahi aaj kal mere life me kya ho raha hai jo bhi karta hun uska
natija kuch aur hi hota hai tum se badla lene gaya tha aur shaadi karke aa gaya
aur abb tumhaare papa se badla lene ka soch raha tha lekin wo ek dam se badal
gaye iss baar to kuch accha bhi hua bhale hi mera badla adhura reh gaya iska
mujhe kuch dukh nahi hai iss wajah se tumhaare saath kuch to accha hua itna
keh kar Sameer Priya ko dekhne laga Priya ka chehra dekh kar wo samajh gaya
ki Priya ko uski baat samajh me nahi aaya
Sameer:- matlab ye ki abb tumhare papa badal gaye hai itne din se main apna
bhool ko sudhaarne ka soch raha tha jo abb jaakar ek mauka mila anjaane me
ek mauka ban gaya abb tumhare sabhi apne tumhe wapas mil gaye hai Karan ko
chhod kar wo dhokhebaaz kamina kisi ka apna nahi ho sakta ye bhi sahi hai ki
mushkil wakt me hame pata chalta hai ki kaun apna hai aur kaun paraya iss
mushkil wakt me tumhe sabka asli chehra bhi pata chal gaya ki kaun accha hai
aur kaun bura hamare divorce ke baad bhi tumhaara saath dene ke liye itne log
hai jo tumhaare apne hai tumhare maa papa aur Divya divorce ki baat sun kar
pata nahi kyu Priya ko pehli baar bura laga usse lag raha tha ki kuch to galat ho
raha hai jo nahi hona chaahiye anjaane me hi sahi abb usse Sameer ki aadat si
ho gayi thi aur usse alag hone ka baat sunte hi uske dil me ek ajeeb sa dard hua
lekin iska wajah wo samajh nahi paayi
Sameer:- aur ho sake to mujhe ek bura sapna samajh kar bhula dena mere aane
ke baad tumhaare jindagi me galat hi hua hai mujhe tumhe dukh pahuchaane ka
koi iraada nahi tha lekin anjaane me tumhaare saath bohat galat ho gaya
tumhaare liye main hamesha se hi galat insaan raha hun ye kehna Sameer ko
bhi accha nahi laga khaas kar pehla line ki ho sake to mujhe ek bura sapna
samajh kar bhula dena lekin kisi tarah se usne apni baatein bhi keh diya
Priya:- nahi Sameer tum galat nahi ho aaj papa ki baat sunne ke baad maine
tumhaare baare me bhi socha aur aaj pehli baar tumhaare acchaaiyon ko dekha
tumne anjaane me mera bohat saath bhi diya hai sabse pehle to tumne mera
ragging hone se bachaya aur naye dushman bana liye college me bohat
students the lekin unme sirf tum hi the jisne mera saath diya dusri baar tumne
mujhe uss Neha se bachaya agar uss wakt tum nahi hote to shaayad main pure
college me badnaam ho jaati lekin tumne uss wakt bhi sachaayi ka saath diya ye
baat bhula kar ki main tumhaari dushman hun teesri baar wo college tour me
jaha tumne khatron se khel kar ek ajnabee ka jaan bachaya aur usse koi credit
bhi nahi liya chauthi baar jab tumhe apna bhool ka ehsas hua tab tumne khud ko
daaw par laga kar mujhse shaadi kiya uss Pratap se bachaane ke liye aur bhi
kayi baar tum shaant rahe jab main gusse me tumhaare saath baat karti thi aur
tumhe apna nafrat dikhaati thi tumne apna bhool ko hamesha se ek bada bhool
ke roop me maana aur uska pacchtaawa bhi tha tumhe tumhaara baar baar apna
ego bhul kar mujhse maafi maangna tumhaara ek aur acchaayi tha aise bohat si
khubiya hai tum me jisse main anhaan thi han tumhaara bhool bohat bada tha
shaayad main tumhe kabhi maaf nahi kar paati lekin aaj tumhaare baare me jab
socha tab ye baat dimaag me aaya ki tumne apna galtiyan maan liya aur
praayaschit bhi kar liya hai to mujhe bhi tumhe maaf kar dena chaahiye tumhara
sabse bada khaasiyat mujhe ye laga ki jab tumhe epna bhool ka pata chala tab
tumne khud ka fikar nahi karke mujhe Pratap se bacha liya uss wakt tumhare
paas koi ego nahi tha aur naahi dushmani uss wakt tumne ek acche insan ka farj
nibhaaya tumne apna bhool ka shikaar apna sabse bada dushman ko bhi nahi
hone diya ye baat mujhe sabse pasand aaya yahi sab baato ko soch kar maine
tumhe maaf kar diya itna keh kar Priya ne Sameer ko dekha jiske chehre me
khusi aur hontho me muskaan ka bhaaw tha uska chehra dekh aisa lag raha tha
ki uske dimaag se bohat bada bojh utar gaya ho
Priya:- ye sab sochne ke baad aaj ye bhi pata chala ki tum galat insaan pehle bhi
nahi the jitna main tumhe sochti thi tumhe galat najar se pehchaana maine
hamesha se tumhe ek ghamandi aur awara ladka samajhta tha jo sirf dusro ko hi
pareshaan karta hai lekin aaj pata chala ki tumhaare baare me maine galat
socha tha tumhaara aur mere bich jo bhi problem tha wo sab ek
misunderstanding tha aur iss aag me ghee daalne ka kaam Shruti ne kiya tha
itna keh kar Priya chup ho gayi usse pata hi nahi chala ki baato hi baato me usne
kya bol diya hai usse abb dar tha ki Sameer Shruti ke baare me puchega to wo
kya batayegi bas usse hi pata tha Shruti ka asliyat Sameer ko nahi agar wo
Sameer ko iss baare me bata bhi degi to Sameer uska yakin nahi karta kuch der
intejar karne ke baad bhi jab Sameer ne kuch nahi bola to usne thoda dar ke
saath Sameer ki taraf dekha Sameer ke chehre me hairani aur aascharya ke
bhaaw tha wo kuch bolne hi wala tha ki uske mobile me kisi ka phone aa gaya
number dekha to Shruti ka tha Shruti ka naam dekhne ke saath hi Sameer ka
chehra me fir se ek udaasi chaa gaya usne dhire se phone pick kiya aur apne
kaano se laga liya
Shruti:- hello Sameer phone uthaate hi Shruti ka bechain aawaj Sameer ke
kaano me pada
Sameer:- han Shruti bolo Sameer ne bina kisi bhaaw ke saath jawaab diya
Shruti:- tum abhi kaha ho aur kal se tumhara phone kyu nahi lag raha hai Shruti
ki aawaj me naraajgi tha kal se Sameer ko phone nahi lagne ki wajah se wo
thoda pareshan bhi thi
Sameer:- Priya ke saath uske ghar aaya hun yaha network problem hai issi liye
phone nahi lag raha tha Sameer ko to Shruti se iss wakt baat karne ka mann hi
nahi tha lekin wo chaah kar bhi aisa nahi kar sakta tha usne bas Shruti ka sawal
ka jawaab dene ka hi socha isse jyada wo kuch baat nahi karna chaahta tha
Shruti:- tum uske ghar gaye ho aur mujhe bataya bhi nahi aisa kya kaam pad
gaya tha jo tum abhi uske ghar me ho Shruti ki aawaj me gussa saaf mehsoos
kiya jaa sakta tha Sameer Priya ke saath Priya ke hi ghar me hai ye baat usko
bilkul bardaast nahi ho raha tha
Sameer:- parso hi pata chala ki Priya ghar aana chaahti hai to usko lekar kal aa
gaya bohat din ho gaya tha usko apne ghar gaye hue bhi haalat hi aise hai ki
agar wo waha rehti to ghutan mehsoos karti issi liye kuch dino ke liye yaha apne
ghar aa gayi Sameer Shruti ka gussa samajh sakta tha agar abhi wo iss wakt
uske saath acche se baat nahi karta to ek aur tufaan ka aane ka khatra ka pata
usse chal gaya tha usne jaise taise khud ko sambhala taaki wo jyada berukhi se
Shruti se baat na kare aur sambhaalne ke baad acche se samjhaane ka koshish
kiya lekin Shruti ka gussa kam hi nahi ho raha tha gusse me ek baar fir se usne
kaha
Shruti:- lekin mujhe to tum bata sakte the na ki tum Priya ke saath jaa rahe ho
Sameer:- dimaag me ye baat aaya hi nahi Sameer ko bhi nahi pata chala ki usne
kya keh diya hai usne to sach hi kaha tha lekin jab iska ehsas hua to der ho gaya
ek aur gusse se bhari Shruti ki aawaj uske kaano me pada
Shruti:- waah Sameer yahi hai tumhara pyar ye tumhe koi chhoti baat lagti hai
tumhaara shaadi hone wala hai mujhse aur tum itna badi baat chupaate ho
mujhse tumhari hone wale patni hone ki wajah se hak hai mere paas ki tumhaare
baare me jaan saku tum kya karte ho kisse baat karte ho kaha jaate ho ye sab
jaane ke hak hai mere paas lekin tum to acche se jawaab tak nahi de rahe ho ek
dam berukhi se baat kar rahe ho jaise tumhaara fikar karna mera gunaah hai
pehle hi mere saath dhokha kiya tumne aur Priya se shaadi kar liya tumhaari
baat maan liya ki galti aur anjaane me ho gayi shaadi kisi tarah khud ko mana
kar ek mauka diya tumhe apne bhool sudharne ka lekin tum to abhi bhi mujhse
cheating kar rahe ho uss Priya ke aur paas jaa kar aur usse najdiki badha kar
tum to bohat hi ghatiya insaan nikle Sameer mera sacha pyar ka ye sila diya
tumne kitna badal gaye ho tum Sameer Shruti ne bohat gusse me apni baat kaha
usse bardaast nahi ho raha tha Sameer Priya ke ghar gaya hai aur abb Sameer
usko pehle se jyada ignore karne lag gaya hai gusse me usne kya kya kaha ye
usse khud pata nahi chala Sameer ko paane ke liye aur Priya ko raaste se
hataane ke liye usne kitna mehnat kiya tha lekin aaj Sameer ka Priya ke paas
hone se usko bohat gussa aa raha tha aur ye gusse me usne bohat kuch bol
diya jo usse nahi bolna chaahiye tha iss baar Shruti ki baat sun kar Sameer khud
par kaabu nahi kar paaya Sameer ne bhi ek dam gusse ke saath jawaab diya
Sameer:- sabse pehle to maine tumse kabhi pyar kiya hi nahi yo ye bolna band
karo ki mera pyar kaisa tha ye shaadi kar raha hun to tumhaari aur apne papa
aur maa ke khusi ke liye abb tum kya keh rahi thi ki tumne mujhe ek mauka diya
hai mera bhool sudhaarne ka agar tumhe aisa lagta hai to nahi chaahiyrle
tumhaari ye meharbaani dusri baat agar maine Priya se shaadi kiya hai to iska
wajah bhi tum khud hi ho tumhaari galat informations ki wajah se main Priya se
badla lene chala gaya tha aur he sab ho gaya na tum mujhe kuch galat baatein
bataati aur na ye sab hota ek baar tum khud ko aaiyne me dekho aur bataao ki
tum kya ho Priya ki jindagi me iss tufaan ke piche tum bhi ek bohat badi wajah ho
lekin tumne kabhi usse maafi nahi maanga maana ki tum dono ka ek dusre se
accha banti nahi hai lekin fir bhi tum apna galti maan nahi rahi ho aur ye cheating
kaise hua maana ki tumse shaadi hoga mera baad me lekin ye jaruri bhi to nahi
ki main tumhe apna har chota sa chota matter bataata hi rahunga kabhi kabhi
tensions ki wajah se baat dimaag se nikal jaata hai aur nahi bata paata hun iska
matlab ye to nahi ki main tum se daant khaata rahu mera bhi kuch self respect
hai aur main ye baat bilkul bardaast nahi kar sakta hun abhi bhi aisa hi hua hai
dimaag se ye baat nikal gaya ki jaate wakt tumhe bata deta hun lekin iske baad
to tum shak hi karne lag gayi ki main tumhe cheat kar raha hun main Priya ko
pahunchaane aur waapas laane ke liye yaha par aaya hun aur ye ek tarah se
mera jimmedaari bhi hai jab tumne mujhse pucha to maine saaf saaf bata diya
agar nahi batata to ye cheating hota tumhe to shak karne ka bimaari ho gaya hai
jo karna hai karo lekin mera dimaag kharab karna band karo kabhi kabhi to lagta
hai ki maine tumse shaadi karne ka faisla lekar koi galti to nahi kar diya itna keh
kar Sameer ne phone kaat mar bed me fek diya uske chehre gusse se laal hota
jaa raha tha paas me baithi chehra me hairaani saaf dekha jaa sakta tha usse
Sameer ka itna gussa wo bhi Shruti ke liye dekh kar sach me bohat hairaani ho
raha tha himmat karke usne Sameer se kaha
Priya:- itna gussa kyu ho gaye kya kaha Shruti ne
Sameer:- shak kar rahi thi mujh par aur mujhse badtameezi se baat kar rahi thi
abhi se ye haal hai to pata nahi baad me kya hoga Sameer ne bohat gusse me
jawaab diya
Priya:- Shruti ki jagah koi bhi ladki hoti to shaayad wo bhi yahi karti shaayad tum
jyada hi gussa ho gaye iss chhoti se baat ko lekar lekin abhi Sameer kuch bhi
baat samajhne ke mood me nahi tha
Sameer:- na ye baat chhoti hai aur na mera gussa be wajah agar galti mera hota
hai to main kiai ki bhi kadwa baatein sun leta hun chaahe mujhe jitna bhi bura
lage lekin abhi mera kya galti tha usne gusse ke saath mujhse baat kiya maine
seh liya aur usko samjhaate hue baat kiya lekin wo dhire dhire mera character ke
baare me bolne lagi keh rahi thi main usse cheat kar raha hun soch samajh kar
bolna to dur sidha shak karti hai hadd hota hai shak ka bhi Sameer ne bohat
gusse ke saath kaha uska gussa dekh Priya samajh gayi ki wo abhi kuch nahi
sunega aur naa hi samjhega Priya ne socha ki Sameer ko kuch pal ke liye akela
chhod dena hi thik hoga aur Priya Sameer ko room me akela chhod kar bahar
chali gayi Sameer room me kuch der ke liye akela raha aaj usse Shruti par pehli
baar itna gussa aa raha tha usse bardaast nahi ho raha tha ki koi uske charecter
par shak kar raha hai aur usko cheater bol raha hai kaafi der tak ye sab soch me
hi vyastraha Sameer fir dhire dhire uska gussa kam hone laga lekin usne Shruti
ko maaf nahi kiya tha aur abhi bhi usse naaraj tha kuch der baad Priya bhi room
me aa gayi lekin iss baar Sameer aur Priya ke bich koi baat cheet nahi hua kuch
der me Sameer ka gussa puri tarah se utar gaya gussa khatam hone ke saath
jab bhi Sameer ka najar Priya se takrata wo Priya me khone lag jaata bohat
mushkil se wo apna najar Priya par se hatata tha kuch der tak to usne khud ko
control karne ki koshish kiya kyu ki wo nahi chaahta tha ki Priya ko pata chal
jaaye ki wo najare chura kar kabhi kabhi usko dekhta hai pata nahi Priya kya
sochegi uske baad ye soch kar Sameer khud par control karne laga lekin jab
nahi kar paaya to khud se hi gussa ho kar room se baahar nikal gaya baahar
nikal kar wo ek chair me baith gaya aur khud se hi sawal karne laga
Sameer:- (to himself) ye kya kar raha hun main kyu achanak se Priya me
paagalo jaisa khone lag gaya hun aaj se pehle to aisa kabhi nahi hua pata nahi
kya ho raha hai mujhe aur kyu khud par control nahi kar paa raha hun pata nahi
kya hai uski inn kaali aankho me jo mujhe uski taraf naa chaahte hue bhi
khinchta chala jaa raha hai abb to khud ko rokna bhi bohat mushkil ho gaya hai
uski aankho me dubne se ye sab sochte hue Sameer fir Priya ki yaado me khone
lag gaya jhatke ke saath usne khud ko khada kiya aur paas me rakha hua paani
ka mug khud ke chehre par daal diya taaki acche se hosh me aa sake chehre me
paani daalne ke baad wo fir khud se kehne laga
Sameer:- ye jo bhi ho raha hai bohat galat ho raha hai chaahe jo bhi wajah ho
mujhe khud par kaabu rakhna hoga bohat jald hamaara divorce hone wala hai
aur main uske baare me iss tarah se nahi soch sakta hun agar aise hi uske
baare me sochne laga aur usme khone laga to sach me bohat mushibat ho
jaayegi baad me Shruti se mera shaadi hone wala hai aur main Priya ke baare
me sochne lag gaya hun ye bohat galat kar raha hun abhi tak jo bhi bhool hua
wo sab anjaane me hua lekin abb jaan bujh kar kar raha hun pata nahi kaisa
attraction hai ye aur jaisa bhi hai bilkul galat wakt me ho raha hai mujhe Priya ke
baare me aisa nahi sochna chaahiye issi me saka bhalaayi hai itna keh kar
Sameer fir se jaa kar chair me baith gaya iss baar usne tay kar liya ki wo abb se
Priya ke baare me aisa kuch bhi nahi sochega lekin yeto wakt hi bataane wala
hai ki aane wale dino me uske saath kya hone wala hai Sameer chair par baith
kar aise hi idhar udhar apna najare dauda raha tha aur aaj Shruti se hua phone
me baat ke baare me soch raha tha ki tabhi usse yaad aaya ki Priya ne usse
bataya tha ki jo bhi hua hai isme Priya ki galti hai aur uski wajah se hi dono ka
shaadi hua hai ye baat Sameer uss wakt puch nahi paaya tha Shruti ka phone
aane ki wajah se lekin iss baar wo ye baat jaana chaahta tha wo apni jagah se
utth kar Priya ki room ki taraf jaane laga hi tha ki fir se uske mobile me phone aa
gaya number dekha to fir se Shruti ka hi tha chehre me fir se gussa ke bhaaw
laut aaya aur phone uthaa ke kaan ke paas laga liya aur bohat hi gusse ke saath
kaha
Sameer:- abb kya baaki reh gaya hai?
Shruti:- sorry Sameer shaayad gusse me maine kuch jyada hi bol diya dusri taraf
se Shruti ka aawaj aaya uski aawaj se lag raha tha ki usko apni galti ka ehsas ho
gaya hai
Sameer:- sorry kitna easy word hai na bade se bade galti karo aur agar apna
galti ke baare me pata chal jaaye to ek sorry keh kar sab kuch thik kar lo Sameer
ne gussa aur naarajgi ke saath kaha
Shruti:- sach me mujhe apna galti ka pata chal gaya hai kuch jyada hi bol diya
tha maine gusse me
Sameer:- kuch jyada? tumhe pata hai tumne kya bola tha issr kuch jyada nahi
kehte hai bohat jyada kehte hai aakhir tum mere charecter ke baare me aisa keh
bhi kaise sakti ho tum mere baare me jaanti hi kya ho jo aisa bol rahi ho college
me tumne dekha hi tha ki main kisi ladki se flirting to dur baat tak nahi karta tha
thoda sa hansi majaak galat nahi hota lekin fir bhi main inn sabhi baato se dur
rehta tha tumhe wajah bhi bata diya tha ki Mahesh ke saath kya hua tha fir bhi
tum shak karti jaa rahi ho ek baat keh deta hun ye shak ki aadat thik nahi hota
hai aur mujhe tumhaari ye aadat bilkul pasand nahi hai maine tumse kya jhuth
bola aur kya chhipaaya agar jhuth bolta to ye sab cheating hota lekin tumhe sach
hi to bataya ki main Priya ke saath hun wajah bhi bataya lekin tum me samajhne
ki shakti hai hi kaha agar itna galat lagta hun main tumhe to mujhse shaadi karne
ka soch hi kyu rahi ho dhundo apne type ka ladka jis par tumhe shak na ho
Sameer ne bohat gusse me kaha uska ye gussa bata raha tha ki wo Shruti se
kitna gussa hai
Shruti:- maafi to maang rahi hun na pata nahi uss time kya ho gaya tha mujhe jo
ye sab bol diya main ye sab bolna nahi chaahti thi lekin pata nahi kaise mouh se
nikal gaya please Sameer maaf kar do abb aage se khayal rakhungi ki bolne se
pehle ek baar jarur sochna chaahiye
Sameer:- aise hi mouh se kuch bhi nahi nikalta hai jarur ye tumhaara soch tha jo
anjaane me tumne keh diya ek baat bataao tum to kehti ho ki tum mujhse pyar
karti ho lekin pyar me shak bhi hota hai kya maine to suna tha ki jaha pyar hota
hai waha vishwas hota hai lekin tumhaare pyar me to vishwas ki koi jagah hi nahi
hai bas shak se hi bhara hai Sameer ka gussa abhi bhi waisa hi tha
Shruti:- please Sameer maanti hun anjaane me bohat bada galti ho gaya mujhe
wo sab nahi kehna chaahiye tha abb maafi bhi to maang rahi hun na aage se
aisa galti kabhi nahi karungi please iss baar maaf kar do Shruti ne itni
masoomiyat se maafi maanga ki Sameer ka gussa bhi pighalne laga abb usse
lag raha tha ki usse Shruti ko iss baar maaf kar dena chaahiye iske baad Shruti
ke ek do baar maafi maangne ke baad Sameer ne bhi maaf kar diya
Shruti:- Sameer ek baat kahu tum fir se gussa mat hona Shruti ne kuch pal ke
khaamoshi ko tod kar kaha
Sameer:- pehle bolo baad me dekha jaayega ki gussa hone wali baat hai ya nahi
Shruti:- tum gusse me bohat hi pyare lag rahe the itna keh kar Shruti phone par
hi hasne lagi
Sameer:- accha hua jo tum mere saamne nahi thi agar hoti to pata chalta ki main
pyara nahi asal me bohat khatarnaak lag raha tha Sameer ne to muskura kar
kaha lekin uski baato se lag raha tha ki usne bilkul bhi galat nahi kaha
Sameer:- Shruti tum se request karta hun ki aage se aise galti kabhi mat karna
iss baar to kisi tarah khud ko sambhal liya aur tumhe maaf kar diya lekin pata
nahi agli baar gusse me kuch bhi ho sakta hai
Shruti:- ok Sameer aage se khayal rakhungi ki kabhi bhi aisi baat nahi kahungi
jisse sun kar tum hurt ho jao Sameer mera bhi ek request hai jitna ho sake tum
Priya se dur hi rehna dosti bhi mat karna jab bhi tumhe uske saath dekhta hun to
mujhe kuch bhi accha nahi lagta aaj bhi aisa hi hua aur maine wo bol diya jo
mujhe nahi bolna chaahiye tha Sameer ne Shruti ka iss baat ka koi jawaab nahi
diya usse samajh me nahi aa raha tha ki kya jawaab de
Shruti:- accha ye bataao ki tum wapas kab aa rahe ho Shruti ne Sameer ko
jawaab na deta dekh iss khaamoshi ko tod kar pucha
Sameer:- 1 hafte lag jaayenge
Shruti:- accha thik hai apna khayal rakhna
Sameer:- ok aur tum bhi itna keh kar Sameer ne phone rakh diya phone rakhte hi
Shruti ne apne chehre me kutil muskaan laa kar kaha
Shruti:- (in her mind) bas bohat hua Priya itni din main khaamosh rahi socha sab
kuch thik ho jaayega lekin kuch thik nahi ho raha hai main jaanti hun Sameer na
chaahte hue bhi tujh me interest lene lag gaya hai abb tujhse pichha chhudaana
bohat jaruri ho gaya hai ek baar waapas yaha aa jaa fir tujhe dekh lungi aajteri
wajah se Sameer pehli baar mujhse gussa hua hai aur pehli baar shaayad maine
iss tarah se kisi ke saath maafi maanga hai dusri taraf phone rakhne ke baad
Sameer ka mood kuch thik nahi tha Shruti ko abhi bhi wo dil se maaf nahi kar
paaya tha Shruti ki iss harkat ne Sameer ko bohat hurt kiya tha kuch der idhar
udhar ghumne ke baad Sameer apne room me chala gaya usne Priya ko dekha
Priya apne mobile me busy thi Sameer bhi apne bed par aa kar baith gaya
Priya:- kya soch rahe ho? kuch pal ki iss khaamoshi ko tod kar Priya ne pucha
Sameer:- kuch khaas nahi bas Shruti ke baare me soch raha tha itna keh kar
Sameer ne Priya ki taraf dekha aur aage kehne laga
Sameer:- pata nahi kya chaahti hai ye ladki mujhse kehti hai ki mujhse pyar karti
hai par kabhi mujhe uska pyar mehsus nahi hua hamesha ek ghutan sa mehsus
hota hai uska pyar dekh kar kehti hai ki mujhse pyar karti hai lekin jaisa wo
mujhse behave karti hai usse to yahi lagta hai ki jaise main uska gulaam hun jab
bhi uske paas rehta hun mujhe wo hi karna padta hai jo wo chaahti hai agar uski
kuch baatein accha nahi lagta hai aur uski koi bhi baato se sehmat nahi hota hun
to apna nakhre dikhaane lagti hai dhire dhire wo dost kam torture jyada ban rahi
hai mere liye mujh me ye sab sehne ki taakat aur nahi hai agar shaadi ke baad
bhi yahi sab haalat raha to bilkul bhi accha nahi hoga main uska koi gulaam nahi
hun jo uska har baat bina kuch sawal jawaab ke maanta rahunga mera bhi kuch
izzat hai Sameer ki kehne ki andaaz se ye lag raha tha ki wo Priya se Shruti ka
sikaayat kar raha hai Priya ne bhi muskura kar jawaab diya
Priya:- pyar me ye sab to chalta rehta hai ham dusro ki baat maante hai chaahe
hame accha lage ya bura iska matlab gulaami nahi hai ye sab pyar hai Shruti
tumse pyar karti hai issi liye aisa karti hai tum usse pyar nahi karte ho issi liye ye
sab samajh nahi paa rahe ho dekhna jab tumhe bhi pyar ka ehsas ho jaayega
tab tumhe bhi sab pata chal jaayega tum isse majburi aur gulaami ka naam nahi
doge aur jo bhi karoge apne khushi ke saath karoge Priya ko Shruti ke pyar ke
taarif karna accha to nahi lag raha tha lekin haalaton ko dekh kar usne Sameer
ko ye sab keh diya
Sameer:- paagal log aisa karte honge mujh jaisa akalmand insan nahi maan lo
agar main kisi se pyar bhi karta hun to mera attitude waisa hi rahega jaisa pehle
tha Sameer jo bohat dhyan se Priya ki baatein sun raha tha achanak uske mood
me kuch aaya aur majaak karte hue usne bol diya ki wo hamesha apne attitude
jaisa tha waisa hi rakhega
Priya:- sahi kaha tumne pyar ho jaane ke baad insan paagal jaisa hi ho jaate hai
dekhna tum bhi pyar ho jaanekebaad waisa hi banoge jaisa maine kaha tha Priya
bhi majaak ke mood me aa gayi thi usne bhi muskura kar apni baat keh diya
Sameer:- accha ye bataao ki shaadi ke baadmaine tumhaara kaun sa baat
maana hai Sameer ne ye keh to diya lekin ye kehne ke baad hi usko pata chala
ki uske mouh se kya nikla hai
Priya:- kaunsa baat maana hai? pehle ye bataao ki tumne mera kaun sa baat ko
mana kiya hai jo kehti hun wo karte ho yaha tak ki apna attitude bhi bhul kar
mujhse maafi maangte the Priya ne bhi apne baat keh diya lekin kuch pal baad hi
usko samajh me aaya Sameer ki baat aur usne fir se pucha
Priya:- lekin hamaare bich me to pyar ki baat chal raha tha na agar tumhe pyar
hoga to tum badal jaoge lekin hamaare bich me pyar kaisa Priya ne ye sawal
Sameer ko dekh kar pucha Sameer ko jo dar tha wohi hua Sameer apne mouh
se wo baat galti se nikal jaane ke baad yahi dua kar raha tha ki Priya uske baat
na samjhe lekin uska dua se thik ulta Priya ne baat samajh bhi liya aur wohi
sawal puch bhi diya abb Sameer ki haalat kharaab ho raha tha usse khud
samajh nahi aa raha tha ki usne Priya se kya puch liya tha aur kaise puch liya
abb wo Priya ke iss sawaal ka jawaab dhundne me lag gaya jo iss wakt uske liye
sabse jaruri tha
Sameer:- tumne kaha tha na ki main shaadi ke baad badal jaaunga to issi baat
ka jawaab de raha tha ki main kabhi nahi badalne wala Sameer ne hadbadaate
hue jawaab diya usse kisi bhi haal me Priya ko jawab dena tha aur jaldbaazi me
hadbada kar usne apna jawaab diya
Priya:- lekin baat to pyar ka hua tha maine tumse kaha tha ki pyar insan ko badal
deta hai aur rahi baat shaadi ki to ye shaadi nahi ek majburi hai na main khush
hun iss shaadi se aur naa hi tum kuch wakt baad ham dono alag hone wale hai
Priya ne pehle ke kuch baatein muskura kar kaha to aakhiri ke kuch baatein
kehte wakt uske aawaj me udaasi tha Priya ko bhi pata nahi chal raha tha uss
udaasi ki wajah Sameer ne bhi uski baat par utna jyada dhyan nahi diya usko
Priya ki aawaj ka udaasi ka pata nahi chala
Sameer:- ohh main tumhaari baato ko thik se samajh nahi paaya tha tabhi pyar
wali baat bhul jao abhi shayad hi kabhi mujhe pyar hoga aur jab hoga tab
dekhenge ki tumhaari baat me kitna sachaayi hai Sameer ko bhi mauka mil gaya
Priya ki baat se bachne ka abb iss topic par baat khatam ho gaya iske baad dono
ke bich me fir se ek khaamoshi chaa gaya
Sameer:- tum Shruti ke baare me kuch keh rahi thi uski wajah se hamaare bich
misunderstanding hua aur ye shaadi bhi Sameer ko fir se Priya ki kuch der pehle
ki baat yaad aa gaya jo dono Shruti ki phone call ki wajah se bhul gaye the
Sameer ki baat sun kar Priya ko kuch samajh me nahi aaya ki iss baat ka kya
jawaab de wo acchi tarah se jaanti thi ki Sameer Shruti ki sachaayi par itna jaldi
viswash nahi karega aur ye wakt aur haalat bhi Priya ko sahi nahi laga ye sab
baatein bataane ke liye kuch soch kar usne jawaab diya
Priya:- Sameer abhi main tumhe iss baare me kuch nahi bata sakti hun ye wakt
bhi sahi nahi hai bataane ke liye wakt aane par tumhe sab kuch bata dungi
please iss baare me abhi kuch mat pucho abhi ke liye bas itna jaan lo ki tum jis
Shruti ko jaante ho wo Shruti aur asli Shruti me bohat fark hai itna keh kar Priya
chup ho gayi Sameer ko bhi koi jaldbaazi nahi tha ye sab baatein jaane ke liye
wo Shruti ke baare me iss wakt jyada sochna bhi nahi chaahta tha pehle hi Shruti
ki wajah se uska mood kharab ho gaya tha abb kuch dino ke liye wo relaxed
hona chaahta tha fir se dono ke bich ek khaamoshi chaa gaya ye khaamoshi
kuch jyada hi lamba tha dono ko abb ek dusre ke saath baat karne me accha
lagne laga tha aur dono chaahte bhi the ek dusre se baat karne ke liye dono ke
dil me ek anjaana sa feelings aane laga tha jisse dono hi anjaan the aur samajh
nahi paa rahe the lekin abhi dono ke paas baat karne ke liye kuch topic nahi tha
aur samajh nahi paa rahe the ki kaise baat kare Sameer bhi issi sochke saath
bed par lait gaya uske hontho par muskaan aane laga Priya bhi kuch der se
Sameer ko hi dekh rahi thi Sameer ko dekh kar aisa lag raha tha ki wo kuch soch
kar muskura raha hai Sameer ko iss tarah se khul kar muskuraate dekh Priya ko
bohat accha lag raha tha uske chehre me bhi ek muskaan aa gaya agar ye kahe
to galat nahi hoga ki shaayad hi Priya ne Sameer ki chehre me isse pehle aisa
muskaan dekha tha jab se dono ke bich aamna saamna hua tha dono ke bich
nafrat aur ladaayi hi hota tha uss wakt Priya ne Sameer ka gussa aur nafrat se
bhara hua chehra hi dekha tha aur jab dono ka shaadi hua tab se usne Sameer
ka udaas aur paschataap se bhara hua chehra dekha tha aaj pehli baar Sameer
ko muskuraate dekh Priya ko pata chala ki muskurata hua Sameer kitna accha
dikhta hai
Priya:- muskuraate hue bohat acche aur masoom dikhte ho Priya ne bhi
muskuraate hue kaha Sameer ne apne soch me hone ke baawjood ye baatein
sun liya ek najar Priya par daala aur muskura kar kaha Sameer:- aur gusse me
usse bhi accha kabhi kabhi aayina (mirror) me dekhta hun to lagta hai ki mujh
par gussa suit karta hai Sameer ne majaak karte hue kaha wo dekhna chaahta
tha ki Priya iss baat par kya jawaab deti hai Sameer ko khud pata nahi chal raha
tha ki wo Priya se itna frankly kaise baat karne lag gag gaya hai abb to usse dar
bhi lag raha tha ki pata nahi Priya usme aaye itne changes ke baare me kya
sochegi lekin baat karte wakt wo ye khayaal bhul jaata tha
Priya:- agar bura nahi maanoge to ye baat bata deti hun ki gusse me tum accha
nahi bohat sade hue lagte ho gaal aur naak iss tarah se laal lagte hai jaise kisi ne
rod ko ek dam se aag me rakh kar garam kar diya ho gusse me to itna bura lagte
ho ki naa hi kisi ko dar lagta hai aur naa hi kisi ko accha dikhte ho tumhaara
gussa shaayad hi kisi ko pasand hai tumhe chhod kar ye bhi ek wajah tha
hamaare misunderstanding ka Priya ki baat ko Sameer ek dam seriously sun
raha tha Priya ki baat khatam hone ke baad bhi uske chehre me waise hi
gambheerta tha ek pal Priya ko laga ki usne ye sab keh kar galti to nahi kar diya
lekin agle hi pal Sameer ne muskura kar kaha
Sameer:- han sach kaha tumne mera gussa kisi ko padand nahi aur nahi mujhe
bhi gussa kissi ko bhi pasand nahi hota hai pata nahi kya ho gaya tha mujhe uss
wakt jo paagalo jaisa gussa aata tha aaj sochta hun ki kitna galat tha main uss
wakt lekin gusse aur nafrat me andha ho gaya tha jo ye sab dikha hi nahi itna
keh kar Sameer kuch der ke liye chup ho gaya aur bola
Sameer:- tabhi majaak kiya tha maine ki mujh me gussa suit karta hai main bhi
tum logo ki tarah hi hansta mushkuraata insaan hun jo kuch dino se haalaton ki
wajah se gaayab ho gaya tha abb sab kuch pehle jaisa thik ho jaayega abb ye
Sameer wapas puraana Sameer ban raha hai jo mba join karne se pehle hua
karta tha wahi muskuraata aur khushi baatne wala Sameer dekhna tum bhi
hairan reh jaogi mere pehle wale roop ko dekh kar jis Sameer ko tumne aaj tak
dekha hai wo Sameer aur abb aane wala Sameer me jameen aasmaan ka fark
hai pata nahi kaha se itna josh aa gaya tha Sameer me jo wo khushi ke saath jor
jor se keh raha tha naahi usse iss baat ka khayal tha ki wo kya keh raha hai aur
Priya kya soch rahi hai uske iss baat par jab usne apni baat khatam kiya tab
usse ehsas hua ki usne kya kaha usse halka sa dar bhi lag raha tha ki Priya kya
kahegi kyuki jo baat usne kaha tha uss baat se Priya ko koi lena dena nahi tha
Priya:- tum bhi ek alag hi Priya ko dekhoge han mujhme koi badlaaw nahi aaya
hai lekin tumhaare saath jaise behave karti thi waise main kisi ke saath nahi karti
thi aur naa hi mujhe ye sab pasand hai main kisi se gussa nahi hoti hun bas teen
insaan hi hai jinhe main bilkul bhi pasand nahi karti thi papa tum aur Shruti tumse
jaisa bhi behave kiya wo sab gussa aur nafrat ki wajah se abb wo feelings nahi
hai to tum bhi abb friendly Priya ko dekhoge itna keh kar Priya bhi muskuraane
lagi aur saath me Sameer bhi
Quote:
Galat fehmi aur nafrat dono ke dil se ek dusre ke liye mit gaya tha dono ko abb
ek dusre ke acchaayi aur khubiya dikhne laga hai aur sabse badh kar dono ko ek
dusre ka saath accha lagne laga tha jo bohat jald ek alag roop lene wala hai
nafrat se suruwat hua inka rishta bohat jald pyar aur bepanaah pyar me badalne
wala hai bhale hi dono apne feelings se anjaan the lekin pyar ka suruwat ho
chuka hai bas manjil baaki hai kuch hi pal ki khaamoshi ko tod kar Priya ne
pucha
Priya:- ye muskaan ki wajah main jaan sakti hun Priya ne bohat hi masoomiyat
se pucha ki Sameer ne bhi uss masoom chehra ko dekh aur bhi muskura kar
kehne laga
Sameer:- apna jindagi ko dekh kar muskura raha hun jindagi kya se kya ho gaya
kuch pata hi nahi chala pehli baar jindagi me itna bada musibat ka saamna kar
raha hun itna keh kar Sameer ne Priya ko dekha jo bina kisi bhaaw ke Sameer
ko hi dekh rahi thi Sameer ne Priya ka chehra me hi dekhte hue aage kehna suru
kiya
Sameer:- issi liye muskura raha tha ki jindagi ko kya samjha tha aur asal me
jindagi kya hai tumse milne se pehle kabhi socha nahi tha ki jindagi me kabhi
mushibat aur aise bure pal bhi dekhna padega socha tha kitna sukhi aur ashaan
jindagi mila hai ye nahi kahunga ki mera life hamesha hi acche se aur khushi se
guzra hai choti moti tension to sabhi ke life me hota hai jaise exam ke time result
ka tension sports me apne favourite team ki jeet ka tension koi dost ya rishtedaar
hospitalized ho jaaye to uska tension aise chhoti chhoti tension to bohat aaya hai
mere life me bhi lekin isse kuch khaas fark nahi pada jindagi me kabhi dukh jhela
hi nahi naa hi garibi ka saamna kiya aur naa hi jindagi me kabhi sangharsh karna
pada hamesha maa aur papa ka saath mila aur unhone jindagi me koi kami
rehne nahi diya dosto ki bhi koi kami nahi tha Mahesh aur Rajesh ke roop me
aise dost mile jo dost kam bhai jyada the Mahesh ka dosti aur saath bachpan se
hi mila aur bohat khush nasib hun ki Mahesh jaisa dost mujhe mila dost to aur
bhi thhe koi wakt aur haalat ki wajah se dur ho gaye to koi khud dur ho gaye
khair Mahesh aur Rajesh ne kabhi jindagi me dost ki kami mehsus nahi hone
diya MBA join karne tak jindagi aise hi khushi aur masti me bit gaya kabhi koi
khas dukh nahi jhelna pada aur jindagi se koi shikaayat bhi nahi tha sabse badi
khusi iss baat ka tha ki mere paas jitna kuch bhi tha main ussi me santust tha
kabhi kuch jyada paane ka laalach nahi rakha aur dil me kisi ke liye koi buraayi
nahi tha dil ka hamesha hi saaf raha hun bas yahi wajah tha ki hamesha khush
rehta tha aur aas paas ke logo ko bhi khush rakhne ki koshish karta tha socha
tha saaf dil aur positive attitude rakhne se jindagi hamesha khushi khusi kat jaata
hai agar koi mushibat aa bhi jaaye to aashani se uska saamna kar sakte hai lekin
main puri tarah se sahi nahi tha saaf dil aur positive attitude to jaruri hai lekin
haalat aur insan ko pehchaane bhi padta hai aur apna emotions bhi control karna
padta hai ham chaahr kitna bhi accha rehne ji koshish kyu na kare koi na koi
dushman ban hi jaata hai galat logo ki koi kami nahi hai iss duniya me Karan
Ramesh aur Pratap ye tino bhi mera kab dushman ban gaye pata hi nahi chala
shaayad uss time khud par jyada hi overconfident tha ki ye Pratap aur Ramesh
mera kuch bigaad nahi paayenge aur inki taakat ko underestimate kar diya ye to
pata nahi ki Shruti ko kisne wo tape diya lekin ye yakin ke saath keh sakta hun ki
mera bhool ke piche inn dono kamino ke planning jarur hoga warna wo Pratap
aur tumhaara shaadi ki baat kabhi chalta hi nahi khair maine haalat ko
pehchaane me galti kar diya Rajesh ka accident ki baat sun kar main apne
emotions par kaabu nahi kar paaya aur itna aggressive ho gaya ki tumhaare
jindagi ko har haal me barbaad karne ke liye socha ek baat to samajh gaya ki
ham chaahe jaise bhi hai lekin ham me haalat aur insaan ko pehchaane ki shakti
hona chaahiye warna koi bhi hame apne faaida ke liye apni tarah se istemaal kar
sakta hai bhool karne ke baad mujhe pata chala ki mushibat kisse kehte hai
mere liye ek aisa situation paida ho gaya tha jisme har taraf se mushibat aa raha
tha aise haalat ho gaye the ki chaah kar bhi koi mera saath nahi de sakta tha fir
bhi maa Shruti Rajesh aur Mahesh ka saath mila pehli baar jindagi me
sangharsh kiya khud se bhi ladna pada aur apno ke liye bhi tumse shaadi karne
ka decision bhi aisa tha jaise khud semaine jung lada tha tumse shaadi karne ka
matlab jaanta tha main ek bohat bada tufan ko bulaawa diya tha maine sab kuch
jaan bujh kar lekin uss wakt wohi sahi laga mujhe iss baat ka khusi bhi hai ki sab
kuch jaan kar anjaan nahi bana aur haalat ka saamna kiya apna charecter
insaaniyat aur self respect kabhi girne nahi diya bhale hi sabhi ka najron me gir
gaya lekin apni najaron me nahi gira han apne bhool ka afsos aur paschataap
jarur tha lekin ek bohat bada bhool karne se khud ko rok liya Pratap aur tumhara
shaadi rok kar iss bhool ne bohat kuch sikhaya sabse badi baat to ye ki mushibat
bata kar nahi aata hai aur jab bhi aata hai ham isse puri tarah anjaan hote hai jab
uska anjaam dekhte hai tab pata chalata hai ki ye mushibat kahi na kahi apni hi
galti ki wajah se aaya hai agar ham iska saamna nahi kar sakte hai to toot kar
bikhar jaate hai aur agar saamna kar liya to ek garv mehsus hota hai ki maine iss
mushibat ka saamna kar liya hai aur maine apna galti sudhar liya hai aur khud ko
mushibat se bacha liya hai ek baat to tay hai ki jindagi me naa hi kabhi aisa
bhool dobara karunga aur naa hi aise haalat aane dunga iss bhool ne ek baat
aur sikha diya ki jindagi me chaahe bure se bure pal kyu na aaye main himmat
karke uska saamna kar sakta hun apni bhool se anjaan ban kar piche nahi
hatunga jindagi me agar koi saath de to mushibato ka saamna karne me jyada
taklif nahi hota maa Rajesh aur Mahesh ka saath aise wakt par mila jab mujhe
iska bohat jyada jarurat tha warna main bhi shaayad toot kar bikhar jaata itna
kehne ke baad Sameer kuch der ke liye chup ho gaya aur fir aage kehna suru
kiya bas aise hi jindagi ke baare me soch kar muskura raha tha jindagi ke unn
mushkil pal ko soch raha tha jab maine apna taakat aur bhool ko pehchana aur
sabse badi baat jindagi hamesha aashan nahi hota hai jaisa ham sochte hai
bohat mushkilein aata hai jinka hame dat kar samna karna padta hai yahi to
jindagi ka maja hai hamesha khush rehna bhi kaisa jindagi hai aise me jindagi ka
matlab aur sangharsh ka kabhi pata nahi chalta hai itna kehne ke baad Sameer
ne fir Priya ko dekha jo Sameer ko hi dekh rahi thi lekin uske chehre me abhi bhi
koi bhaaw nahi tha Sameer ki baat usse bhi sach laga par iss baat par kya kehna
hai usse kuch samajh me nahi aaya wo chup hi rahi
Sameer:- Priya mera ye bhool ye bhi tha ki maine tumhe bhi pehchaane me galti
kar diya Priya Sameer ki iss baat par abb hairaani se uski taraf dekhne lagi
Sameer:- tumhaare baare me galat socha tha maine kaash uss pal samajh jaata
ki tum kaun ho aur kaisi ho to shaayad ye bhool kabhi nahi karta jitna bura
sochta tha tumhe usse bhi jyada acchi nikli tum bhale hi tum mujhse naraaj thi
lekin tumne mere maa aur papa se koi naarajgi nahi dikhaaya unhe bhi apne
parents ki tarah hi respect deti rahi agar chaahyi to tum mujhe apne hi najaro me
giraane ki koi kami nahi cchodti lekin tumne aisa nahi kiya aur yaha tak ki tumne
aaj mujhe maaf bhi kar diya bohat bada dil hai tumhara aur sahi galat ka bhi
accha pehchaan hai kaash mujh me bhi sahi galat ka pehchaan pehle hi ho jaata
itne dino me tumhe bohat acchi tarah se jaan liya hai maine tumhara acchaayi
sabhi ka care karna sabhi se baat karne ka tarika tumhaara apne jimmedaariyon
ko nibhaana sabhi ko respect karna ye sab dekh kar khud par hi sharm aa raha
hai ki kaise tumhe itna galat samajh liya tumhe ek bohat acchi beti aur dost
(Divya ka) ke roop me jaan liya hai maine aur ye bhi jaanta hun ki jisse bhi
tumhaara shaadi hoga baad me uska jindagi khushiyon se rang jaayega aur wo
ghar swarg se kam nahi hoga har ek gun maujood hai tum me jo ek acchi ladki
aur patni me hona chaahiye Sameer ki aawaj me fir se ek udaasi aa gaya jab
usne kaha ki jisse bhi tumhaara shaadi hoga usse samajh nahi aa raha tha ki
usse itna bura kyu lagne laga hai jab bhi wo Priya se dur rehne ki baat karta hai
tab khud itne dukhi hone ke baawjood tum dusro ki khushiya dekhna chaahti ho
bhale hi tumhaare ghar me bohat bada parshaani tha lekin tumne kisi ke saamne
ye baat jaahir nahi kiya aur dusro ki khushi me bhi apna khushi dhundti rahi
bohat mushkil hai iss tarah se apne emotions ko control karna jo tum jaise kuch
log hi aisa kar sakte hai Priya ko Sameer ki baat sunn kar bohat khushi hua ki
abb to Sameer ne usko acche se pehchaan liya hai aur apni galtiyon ka ehsas
bhi usse acchi tarah se ho gaya hai lekin abhi bhi wo kuch nahi boli bas Sameer
ko hi sunti jaa rahi thi Sameer:- kaash Shruti bhi tum jaisi hi hoti kaash usme bhi
sabhi ke liye fikar caring aur acche se behave karna aata dil ka bura wo bhi nahi
hai lekin uski harkat hi aisa hai ki sab usse bohat jald irritate ho jate hai agar
mera shaadi Shruti se ho gaya to bas yahi dua karunga ki kaash usme koi
badlaaw aa jaaye aur tumhaare saare gun usme aa jaaye Sameer itna keh kar fir
chup ho gaya kehne ke baad samajh me aaya ki usne fir kya keh diya hai wo
Priya ki taarif kuch aise dhang se kar raha tha jaise usko Priya se pyar ho gaya
hai aaj Priya ne Sameer ka ek aur naya roop dekkha Sameer ka Priya ko iss
tarah respect karna Priya ko bohat accha laga ek aur acchaayi dekha usne
Sameer ka aise hi wo bhi Sameer ko aur acche se jaane lagi aur Sameer ka har
ek khubiya usko Sameer ke aur paas laa raha tha aur uske dil aur dimaag me
Sameer ke liye ek alag jagah banne lag gaya
Sameer:- ham kaha jaa rahe hai? kuch der chalne ke baad Sameer ne Priya se
pucha Sameer aur Priya iss wakt gaanw ke khet me chal rahe the
Priya:- tum ne hi to kaha tha ki gaanw ghumna chaahte ho issi liye tumhe gaanw
ghumaane le jaa rahi hun
Sameer:- wo to pata hai lekin jaa kaha rahe hai mera matlab hai ki kis jagah par
jaa rahe hai mandir me jungle me river side me dhaabe me baajar me ya fir kahi
aur
Priya:- yaha ghumne laayak jyada jagah to nahi hai jungle aur mandir hi hai jaha
ham ghumne jaayenge abhi shaam ka wakt hai abhi jungle ki taraf chalenge aur
kal subah mandir
Sameer:- hmm thik hai mausam bhi accha hai abhi dhalta suraj aur thandi hawa
maja aayega aaj tak jungle kabhi ghuma nahi hai dekhte hai kaisa maahaul hota
hai waha suna hai jungle bohat hi sun saan aur jungali jaanwar se bhara hota hai
Sameer ne utsaahit ho kar kaha
Priya:- lekin abhi hame karib aadha ghanta chalna hoga yaha se thoda dur hai
kya tum chal paaoge utna dur Priya ne muskura kar kaha aur uski baato se aisa
lag raha tha ki wo Sameer ka majaak udaa rahi thi majaak me
Sameer:- nahi kiss dusre din chalenge aaj to abhi se pair me dard ho raha hai ek
kadam bhi abb aage nahi chal paaunga Sameer ne bhi Priya ka majaak ka
jawaab diya wo bhi muskura kar
Priya:- tum aaj tak jungle nahi gaye? bohat hairaani ki baat hai aage chalte hue
Priya ne pucha
Sameer:- abb sheher me kaha see jungle laaunga main haa zoo jarur gaya hun
lekin waha jungle wali feelings nahi aata hai kaid jaanwar ko dekhne me koi maja
nahi hai waise bhi jyada wakt main ghar par hi spend karta hun
Sameer:- iss jungle me kitne khatarnaak jaanwar hai kuch aage chal ke Sameer
ne pucha Priya ko Sameer ke kehne ke andaaz see kuch samajh me nahi aaya
ki Sameer ye sawal kyu puch raha hai Sameer ne Priya ke chehre ki hairaani ko
dekh kar kaha
Sameer:- matlab yaha jungle me koi khatarnaak jaanwar hai jaise sher cheetah
bhalu bhediya aur magarmach abb Sameer thoda muskura kar keh raha tha
Priya:- nahi lekin kyu tumne to kaha tha tumne zoo me dekh liya hai agar ye sab
jaanwar hote to kaun paagal jungle ghumne jaata jungle jyada bada nahi hai
chota sa jungle hai aur log bas lakdi aur ghaas ke liye jungle me jaate hai
Sameer:- ohh bad luck socha tha aaj khunkhaar jaanwaron ka shikaar karunga
suna hai bohat majaa aata hai Sameer ki baato se saaf pata chal raha tha wo
majaak kar raha hai gaanw me aane ke baad Sameer aur Priya ke bich bohat
kuch badal chuka tha abb dono ko ek dusre see baat karne me aur baat sunne
me bohat accha lagne laga tha aur dono ke bich ek alag hi relation ban gaya that
jiske baare me dono hi anjaan the aaj bhi maahaul aisa hi tha Sameer ko Priya
see baat aur majaak karne me bohat accha lag raha tha aur to bewkoof jaise
majaak karta jaa raha tha jab se wo Priya ke saath gaanw ghumne ke liye nikla
tha wo ye bhi bhul gaya ki kabhi usne Priya see jyada najdiki nahi badhaane ka
socha tha bohat dino ke baad wo Priya ke saath khule me ghumne ka majaa le
raha tha aaj Priya ka saath aur baat karne me usko bohat majaa aa raha tha
usse khud pata nahi tha ki wo Priya se kya baat kar raha hai lekin usse baat
karne me bohat hi maja aa raha tha dusri taraf Priya ko bhi Sameer ke saath
gaanw ka tour bohat accha lag raha tha Sameer ka muskura kar use baat karne
se Priya ki chehre me bhi muskaan aa raha thank aur Sameer ka ye naya roop
Priya ko bhi bohat accha lag raha tha Priya ko Sameer ki baatein accha to lag
raha tha lekin saath me thoda ajeeb bhi lag raha tha
Priya:- kya paagalon jaisa baat kar raha hai jaanwaro ka shikar itna keh kar Priya
khil khila kar hasne lagi Sameer ko Priya ka ye hansta hua chehra dekh uske
chehre me bhi ek muskaan aa gaya aur usko aisa lag raha tha jaise ek alag hi
sukoon mila ho uske dil ko aur muskuraate hue usne pucha
Sameer:- kyu nahi kar sakta hun kya?
Priya:- kar sakte ho tum to dinosaur ka bhi shikaar kar sakte ho Priya ka hansi
pehle jaisa hi tha Sameer ka paagal pan dekhne ke baad na jaane kitne dino
baad wo hansi thi
Sameer:- han sahi kaha tumne lekin kya karu kismat hi kharab hai galat wakt par
paida ho gaya
Priya:- kya matlab? iss baare Priya ne chaunkte hue pucha Sameer ka har baat
ki tarah iss baat ka matlab bhi wo samajh nahi paayi
Sameer:- matlab ye ki agar jurrasic period me paida hua hota to kar sakta tha
dinosaur ka shikaar Sameer ne aise kaha jaise wo bohat niraash hai
Priya:- majaak bohat accha karte ho Mr shikaari abb bas bhi karo warna tumhara
majaak ka kahi main shikaar na ban jaau hanste hanste
Sameer:- nahi aaj tak koi bhi mera hansi majaak ka shikar nahi bana hai aur
aage bhi nahi banega han kuch kamine hai abhi bhi jinhe mera last aur mukko ka
shikar banna hai issi tarah hansi majaak karte karte Sameer aur Priya chal rahe
the jungle ki taraf abb karib 10 minute ka raasta baaki that jungle ki taraf ki
Sameer ne dekha ki thodi hi dur par kuch log cricket khel rahe the Sameer unki
taraf dekh hi raha tha ki ek shot par ball bohat hi long aur high udd gaya Sameer
ne ball pakadne ke baare me socha aur thoda daud kar ek halka sa dive laga kar
ball pakad liya catch to bohat accha kiya lekin iss catch karne ki chakkar me
Sameer ka haath niche jameen par pade kuch pattharo me kuch jagaho par
cheel gaya aur thoda khun behne laga Sameer ne ball logo ki taraf fenk diya aur
apne haath ko dekhne laga Priya bhi kuch hi der me Sameer ke pass aa gayi jab
usne Sameer ke haatho ka jakhm aur khun dekha to bohat dar gayi
Priya:- itna khun aur itna gehra jakhm acche se dikhaao Priya ne darte hue
Sameer ka daaya haath apni taraf ghumaya
Sameer:- bas chota sa ghaaw hai aur jyada dard bhi nahi ho raha hai kuch der
me thik ho jaayega Sameer ka bas itna hi kehna tha ki Priya ne bohat hi jyada
gussa wala najar se Sameer ko dekha aur kaha
Priya:- chup raho aur and bakwas band karo (Sameer ka haath dekh kar) ye
tumhe chota sa ghaaw lag raha hai Priya ka dar aur gussa dekh Sameer ne chup
rehna hi behtar samjha Priya ka uske liye ye fikar aur ghabrahat dekh Sameer ko
accha lag raha tha aur kuch pal ke liye wo apna haatho ka dard bhi bhul gaya tha
kuch hi palo me usko fir dard mehsus hua usne apne haath ko dekha to paaya ki
Priya Sameer ka towel ( jo usne saath me laaya tha) usko Sameer ke haath me
lapet rahi thi
Priya:- abb jaldi ghar chalo first aid karna hai abhi ke liye khun behna band ho
gaya hai lekin fir bhi infection ho sakta hai Priya ki baat me request kam order
jyada tha Sameer bhi kuch kahe bina uske pick chal pada raaste me Priya
Sameer ko bohat baat sunaa rahi thi lekin Sameer chup chaap muskuraate hue
sunta jaa raha tha aise hi karen 15 minute me dono ghar par pahunch gaye ghar
me koi nahi tha Priya ke maa aur papa baahar gaye the lekin dono ko abhi iss
baat see koi matlab nahi tha Priya ne jaldi see first aid ka kit ka intejaam kar liya
jaldi se aur bina koi der kiye usne Sameer ka haath pakad kar thanda aur saaf
paani aur cotton se pehle uss jakhm ko saaf kiya fir ghaaw me dettol lagata
dettol lagaate wakt halka sa cheekh Sameer ke mouh se nikla Priya ne Sameer
ko aankhe dikhaya lekin kuch nahi kaha aur haldi se bandage baandh diya aur
pucha
Priya:- tum to keh rahe the ki koi dard nahi ho raha hai fir ye cheekh kaise
Sameer:- dettol ghaaw me lag gaya tha issi liye Sameer ne masoomiyat see
jawaab diya
Priya:- kya jarurat thank aise paagal pan karne ka tumhara dimaag to thikaane
par hai Priya ne naraajgi aur fikar ke saath kaha
Sameer:- bohat din ho gaya tha cricket bina cricket khele issi liye catching
practice kar raha tha
Priya:- sach me paagal ho tum wakt aur jagah ka bhi to khayal karo wo koi diving
lagaane ka jagah tha kya
Priya ka iss baat ka Sameer ne koi jawaab nahi diya wo bas gunehgaar ki tarah
Priya ko dekhe jaa raha tha aaj Priya ka uske liye fikar aur gussa dekh Sameer
ka dil me Priya ke liye izzat aur pyar aur badh gaya
Priya:- khud ko chot pahuncha liya aur pata hai main kitna pareshaan ho gayi thi
Priya ne naraajgi ke saath kaha
Sameer:- kyu? achanak hi Sameer ke mouh see nikal gaya
Priya:- kyu ka kya matlab tumhe chot laga dekh kar ghabra gayi thi aur ghar bhi
bohat dur tha first aid karne ke liye issi liye ghabra gayi thi ki jyada infection na
ho jaaye
Sameer:- isme ghabraane ki kya baat dinosaur ka shikaar karne wale ko choti
moti bacteria apna shikaar nahi kar sakta Sameer Priya ka chehra dekh hansta
hua bola
Priya:- abb apna bakwas band karo aur rest karo Priya ne aankhe dikhaa kar
kaha
Sameer:- itni choti si baat ke liye bed rest main itna bhi kamjor nahi hun ki jara sa
bhi chot lagne par haar maan kar bed par lait jaau
Priya:- accha to kya karoge
Sameer:- chup chaap baith jaaunga kar bhi kya sakta hun Sameer ne aise kaha
jaise wo majbur hai Sameer ke kehne ke andaaz se Priya muskuraane lagi
Priya:- to thik hai abb ek dam chup ho jao aur rest karo bohat bolne lag gaye ho
aaj kal Priya ne muskurakar kaha
Sameer:- tumne hi to kaha tha ki pehle wale Sameer ban jao wohi to banne ki
koshish kar raha hun hamesha muskuraate rehne wala aur dusro ke chehre par
bhi khushi laane wala
Priya:- to tum pehle itna laaparwah thhe
Sameer:- kya matlab Sameer ne chaunkte hue kaha wo Priya ki baat ka matlab
samajh nahi paaya
Priya:- matlab ye ki tum pehle itne laaparwah the khud ki tabiyat ki chinta na kar
ke aise hi hansi majaak karte the jaise abhi kar rahe ho
Sameer:- han dosto ke liye hamesha se aisa hi hun Sameer ne muskuraate hue
kaha
Priya:- aur maa aur papa ke saamne
Sameer:- unke saamne bhi aisa hi hun lekin limit me warna daant bhi sunna
padta tha
Priya:- accha main thodi der ke liye baahar jaa rahi hun aur tum pehle wala
Sameer baad me banna abhi rest karo itna keh kar Priya baahar chali gayi aur
Sameer room me akela reh gaya Sameer akele bore hone laga haath ke taraf
dekha to pata chala ki jitna socha tha ghaaw usse aur bada aur gehra tha abb
halka halka dard ka ehsas bhi hone laga tha Priya se baat karte wakt to jo bhi
dard hua tha usko chhupa liya tha aur baato me itna vyast ho gaya tha ki dard ka
jyada ehsaas bhi nahi hua lekin abb akele me thoda dard aur akelapan mehsus
ho raha tha aise hi wo fir Priya ke khayal me kho gaya aaj Priya ke saath gaanw
me ghumte wakt ka saara drishya fir uske aankho ke saamne ghumne laga waha
par hua Priya se baat cheet majaak aur Priya ka uske liye fikar yaad kar ke
Sameer ke hontho me ek muskaan aa gaya aur mouh se bas itna hi nikla kya
socha tha Priya ke baare me aur asal me kya nikli sach me mujhse Priya ko
pehchaane me galti ho gaya Sameer ye sab soch hi raha tha ki kuch der me
Priya bhi room me aa gayi Sameer ko gehri soch me duba dekh Priya ne pucha
Priya:- kis soch me dube ho? Priya ki baato se Sameer hosh me aaya lekin wo
Priya ke soch me itna gumm tha ki Priya ne kya pucha usse pata hi nahi chala
aankho se hi pucha usne Priya ko ki wo kya puch rahi thi
Priya:- kis soch me itna dube hue the ki aas paas kya ho raha hai ye bhi pata
nahi chal raha hai
Sameer:- ek gehri soch me tha Sameer ne gambhir hokar jawaab diya
Priya:- aur wo gehri soch kya tha wo bataane ka kasht karoge Priya ki baato se
lag raha tha ki wo bhi majaak ke mood me hai
Sameer:- hmm soch raha tha ki wo jungli jaanwar kitne lucky the aaj jo mere
haatho ka shikaar hone se bach gaye Sameer ne ek dam se chehre ki gambhirta
ko badla aur majaak karte hue bola Sameer ki iss majaak se Priya ka muskaan
aur bhi badh gaya aur boli
Priya:- maine tumse kya kaha tha Priya ne bhi gambhir aur naraaj hone ka acting
karte hue pucha
Sameer:- accha sorry abb no majaak only rest itna keh kar Sameer ne muskura
kar Priya ko dekha aur bed par lait gaya ek baar fir khaamoshi chaa gaya dono
ke bich lekin ye khaamoshi bhi dono ko aur karib laa raha tha dono abb bas ek
dusre ke baare me hi soche jaa rahe the abb unhe bas ek dusre ki achaayi aur
ek dusre se kiya hua baat hi yaad aa raha tha dono ek dusre ki paagal pan ko
yaad karte hue kabhi muskuraate to apne paagal pan par apne maathe par haath
maar lete the dono ne abb ek dusre ko chor najar se dekhna bhi suru kar diya
tha dono ko ye sab ka wajah aur suru ho chuka pyar ka ehsas ke baare me pata
to nahi tha lekin ye sab karna dono ko hi accha lagne laga tha dono ko abb ek
dusre ki aadat padne laga tha aur ek dusre ke aankho ke saamne hone se ek
sukoon milne laga tha kul milaa kar dono ke bich paida ho chuka feelings abb
wakt ke saath aur bhi jyada badhne laga tha aur issi ke saath pyar ka suruwat
jisse dono hi anjaan the Priya ke baare me sochte hue Sameer ke dimaag me ek
baat aaya
Sameer:- Priya aur Priya Sameer ki iss baat se hosh me aa kar Sameer ki taraf
mudd gayi
Sameer:- ek baat puchna tha Priya ne bhi haa me sar hilaa diya aur Sameer ko
anumati diya
Sameer:- tumne to kaha tha ki divorce ke baad tum desh chhod kar baahar chali
jaogi abb kya soch hai tumhaara Sameer ko apna dil me kuch chhubhta sa laga
jab usne divorce ka baat kaha usse laga ki usse abb Priya ka saath accha lagne
laga hai issi liye usko ye feel hua ye baat to usse bhi pata tha ki kuch dino baad
dono alag ho hi jaayenge divorce hone ke baad dusri taraf divorce ki baat sunne
ke baad Priya ko bhi aisa laga jaise wo aasmaan me udd rahi hai aur kisi ne
uaka pankh kaat kar jameen me patak diya ho kaha wo Sameer aur apne aane
wale dino ke baare me soch kar muskuraati jaa rahi thi lekin agle hi pal Sameer
ka sawal ne uske saare muskaan cheen liya usse bhi iss baat ka ehsas ho gaya
ki Sameer aur uska saath bas kuch dino ke liye hi hai uske baad Sameer Shruti
ka ho jaayega dil me ek dard utth gaya iss khayal se lekin kisi tarah se khud par
kaabu karke usne kaha
Priya:- abb kahi nahi jaaungi sabhi ka saath mil gaya hai aur sab apne hi hai koi
paraya nahi lagta abb jo bhi gile shikwe the sab khatam bas papa se abhi bhi
shikaayat hai lekin wo bhi badal gaye hai abb divorce hone ke baad kuch dino ke
liye yaha ghar me aa jaaungi aur apne maa aur papa ka kuch sewa karungi uske
kuch dino baad fir maa aur papa mera shaadi kara hi denge uske baad jindagi
jaha marji le jaaye Priya ne ek dard bhari aawaj me kaha kuch pal chup rehne ke
baad Sameer ne kaha
Sameer:- fir ye bhul mat jaana ki Sameer naam ka bhi koi dost tha tumhaare
jindagi me han jaanta hun main tumhaari jindagi me hamesha ek kadwi yaad ban
kar reh jaaunga ho sake to maaf kar dena aur kabhi jarurat pade to ek aawaj
dena sab kuch bhul kar aa jaaunga tumhaara madad karne bhagwaan kare ki
jisse bhi tumhaara shaadi ho wo mujhse bhi laakh guna accha ho aur kabhi
tumhe takleef ka ehsaas bhi hone na de tumhaari jindagi me abb bas khushiya hi
aaye ek dard bhari aawaj me Sameer ne bhi Priya ko dua de diya divorce ki baat
se jitna dard Priya ko hua tha waisa hi dard Sameer ko bhi dard me kya kya
kehta chala gaya iss baat ka bhi hosh nahi raha Sameer ko kisi tarah se apne dil
ka dard baahar nikaal liya kehne ke baad pata chala ki uske mouh se kya nikla
hai thoda sa ghabra kar usne Priya ko dekha jo hairaani se uske taraf hi dekh
rahi thi Sameer ka dard bhari aawaj aur uski baatein sunne ke baad Priya ek
dam se chaunk gayi wo Sameer ki baat ka matlab samajhne ka koshish kar rahi
thi dusri taraf Sameer bhi khud se naraj tha ki usne Priya ke saamne kya kya
baat kiya galat wakt par galat baat kehne ki wajah se wo khud par hi gussa ho
gaya wo samajh nahi paa raha tha ki Priya ka alag hone ki baat se usse itna dard
kyu mehsus hone laga hai jo wo khud par kaabu nahi kar paa raha hai aur iss
tarah se apne feelings kehne ke liye majbur ho gaya hai ye sab sochne ke baad
ek najar usne Priya ko dekha aur agle hi pal darte hue khud ko taiyaar kar liya
Priya ko jawaab dene ke liye Sameer Priya ka sawaal ka intejaar karta hi reh
gaya lekin Priya ne kuch nahi pucha Priya iss wakt koi bhi sawaal jawaab karne
ki haalat me nahi thi Sameer se alag hone ki baat se usse bhi bohat bura lag
raha tha aisa lag raha tha jaise ye sab galat ho raha hai ek najar Sameer ki
chehre par dekha aur uski aankho me dekhne lagi pehli baar Priya ne Sameer ki
aankho me dekha ye jaane ke liye ki Sameer uske baare me kya sochta hai aur
kis najar se dekhta hai lekin Sameer ki aankho se usse kuch khaas jawaab nahi
mila usse Sameer ki chehre me thoda sa ghabrahat aur thoda sa dukh hi najar
aaya isse usse kuch bhi andaaza nahi hua ki Sameer uske baare me kya sochta
hai ha lekin thoda sa badlaaw usne Sameer me mehsus kiya jiska wajah wo saaf
tarike se jaan nahi paayi thi Priya bas Sameer se alag ho jaane ki baat sun kar
itna dukh kyu ho raha hai aur uske baad ke haalat kya honge yahi sab soch rahi
thi disri taraf Sameer bhi bohat der tak Priya ka sawaal ka intejaar kar raha tha
lekin jab usse laga ki Priya kuch bhi nahi puchegi tab usne hi puch liya
Sameer:- Priya main thoda baahar fresh ho kar aata hun Priya ne bhi haa me sar
hila diya usse bhi kuch wakt akela rehne ke liye mil gaya aur apne dilo me utth
rahe sawalo ka jawaab dhundne ke liye bhi Priya ka jawaab milne ke baad
Sameer ek pal bhi waha nahi ruka aur jaldi se nikal gaya ghar se baahar baahar
chalta gaya aur karib 200 meter aage ek khet me jaakar ruka khet me ek bada sa
patthar me baith gaya aur waha baith kar khud se hi sawal jawaab karne laga
sawal bhi sirf ek hi tha kyu aaj kal wo Priya me itna interest le raha hai aur kyu
usse Priya se dur hone ka soch se itna dukh hone laga hai bohat sochne ke
baad usko ek jawab mila aur usne khud se hi kaha
Sameer:- (to himself) kahi mujhe Priya se pyar to nahi ho gaya jo main bas uske
baare me hi sochne lag gaya hun jab wo saath hoti hai aur mujhse baat karti hai
to bohat sukoon milta hai aur usse dur ho jaane ki baat se hi ek ajeeb sa dar
lagta hai ye khayal aate hi Sameer buri tarah se hil gaya aur utth khada hua
chehre pasina se bheeng gaya aur chehre me dar aur thoda sa gussa ka bhaaw
aa gaya fir se ek dari hui aawaj me kaha
Sameer:- nahi nahi ye pyar nahi hai aur naa hi hona chaahiye agar ye pyar hai to
bohat galat ho raha hai sab kuch fir se tabaah ho jaayega Shruti aur mera rishta
uska aur uska parents ka mujh par jo vishwaas hai wo sab ek pal me toot
jaayega picchli baar jo bhi hua wo anjaane me mujhse ek bhool ho gaya tha lekin
iss baar jaan bujh kar dobara se bhool kar raha hun pata hai main galat raaste ki
taraf badh raha hun lekin khud ko rok bhi nahi raha hun iss baar sach me main
sab ka gunehgaar ban jaaunga ye pyar na jaane kitna rishta tod dega aur samaaj
me hamaare ghar ka badnaami hoga wo alag aur sabse badi baat main kis mouh
se kahunga Priya se ki main usse pyar karta hun main uska gunehgaar hun aur
rahunga maine uske liye kabhi kuch accha kiya bhi nahi hai hamesha usko
takleef hi diya hai aur apna gussa dikhaaya hai wo kyu mujhse pyar karegi aur
maine ye baat bol bhi diya to pata nahi wo kya sochegi mere baare me aur mere
charecter ke baare me usne mujhe maaf kar diya yahi kaafi hai mere liye wo
mere pyar ko samajhna to dur mujhse aur nafrat karne lagegi kisi bhi tarah se ye
pyar kisi ke liye thik nahi rahega iss pyar me sirf mushibat hi hai iss pyar ka koi
bhavisya(future) nahi hai behtar yahi hai ki main apna kadam yahi rok lu warna
mera bhi wohi haal hoga jo Mahesh ka hua tha pyar tutna ka dard pehle hi maine
dekh liya hai abb isse mehsus karna nahi chaahta bohat bura haal hua tha
Mahesh ka uske paas to ek wajah tha aage badhne ka uska pyar ka haar nahi
hua tha balki bewafaayi hua tha uske saath lekin mere saath ye nahi hoga Priya
to mujhse pyar karti bhi nahi hai aur karegi bhi nahi main hi paagalo ki tarah
deewana banta chala jaaunga aur aakhiri me mera hi dil tootega iss tarah se
main naa hi khud ka khayal rakh paaunga aur naa hi apna pariwar ka behtar yahi
hoga ki mujhe khud ko abhi sambhalna hoga aur ye sab anjaam ko rokna hoga
ye pyar nahi mera sabse bada bhool hone wala hai itna kehne ke baad Sameer
ka dar aur bhi badh gaya iss pyar ka anjaam sochte hi uske chehre ke bhaaw
aisa ho gaya jaise wo bohat dar gaya hai aur bohat hi uljhan me hai Shruti ke
saath hone wali shaadi ghar ki izzat aur Priya ke saath uska relation ye sabhi
baaton ne Sameer ko majbur kar diya iss pyar aur iska anjaam ke baare me
sochne ke liye khud ko thodi der samjhaane ke baad Sameer ne fir se kaha
Sameer:- nahi ye pyar nahi ho sakta aakhir kaise mujhe do din me pyar ho sakta
hai kuch samay pehle tak nafrat karta tha main Priya se aur kuch hi dino me pyar
kaise ho sakta hai ye pyar nahi attraction hai do din me haalat aise ban gaya ki
main uski taraf attract hone par majbur ho gaya aur ye attraction bas kuch hi dino
ka hai bohat jald ye attraction bhi khatm ho jaayega aur sab kuch fir se thik ho
jaayega ha ye attraction hi to hai main bhi na isse pyar ka naam de kar bekar me
dar raha tha itna keh kar Sameer ne apne chehre me muskaan laane ka koshish
kiya aur issi tarah se khud ko jabardasti samjhaane laga ki ye pyar nahi attraction
hai dusri taraf Priya ka bhi bura haal tha wo bhi khud se wohi sawal puchne lagi
jo Sameer ne khud se pucha tha Priya ko bhi abb thoda thoda apna pyar ka
ehsas hone laga wo bhi bohat uljhan me thi ki agar ye pyar hai to iska anjaam
kya hoga kya Sameer uske pyar ko samjhega? kya iss pyar ka koi future hai? aur
sabse bada sawal achanak hi do din me usse Sameer se kaise pyar ho gaya? jis
Sameer se wo bohat jyada nafrat karti thi aakhir ussi Sameer se 2 din me hi
kaise pyar kar sakti hai wo Sameer usse achanak se kyu apna lagne laga hai
jiska khud se dur hone par bhi dar lagne laga hai bohat der tak khud se hi wo ye
sawal karti hai ki aakhir kaun hai Sameer? aur kya maayine rakhta hai Sameer
uske jindagi me? ek baar fir Sameer se hua pehli mulaakat se aakhiri mulaakat
tak ki baat sochne par wo majbur ho gayi Sameer me usne achanak hi jo
badlaaw mehsus kiya usse dekh wo bohat hairaan reh gayi jo Sameer pehle
uska dushman hua karta tha aaj wo uska dost hai shaayad dost se bhi thoda
upar jo Sameer ne uska jindagi barbaad karne ka socha tha aaj ussi Sameer ne
uski jindagi me ek naya khushiya de diya uske papa ko sudhaar kar jo Sameer
ko wo ghamandi aur awara sochti thi aaj uske baare me uska khayal bohat badal
gaya tha wo abb mehsus kar rahi thi ki shaayad usse bhi Sameer se pyar ho
gaya hai lekin usse bhi wajah samajh nahi aaya ki usse kaise itni jaldi Sameer se
pyar ho sakta hai? aakhir me usne bhi iss pyar ka future soch iss pyar ko
attraction ka naam de kar bhulne ki koshish me lag gayi wo yahi sab soch rahi thi
ki kuch der baad Sameer bhi aa gaya room me chehre se lag raha tha ki wo
bohat gambhir soch me hai dono ka mood bohat I kharaab tha aur dono ek dusre
se baat karne ki haalat me nahi the dono ke bich ek khaamoshi chaa gaya aur ye
khaamoshi tab tak raha jab tak Priya ke maa ne dono ko dinner ke liye bulaaya
dinner karne ka mann to dono me se kisi ka bhi nahi tha par koi bahana bhi nahi
tha dono chale gaye dinner karne dono ke dimaag me abhi bhi bohat halchal
macha hua tha koi kisi se baat nahi kar rahe the dono ko aise khaamosh aur
gehri soch me dekh Priya ke parents ko bohat ajeeb laga par unhone kuch bola
nahi jab Sameer ne dinner kar liya aur uthne wala tha tab Priya ke papa ne usse
kaha
P dad:- Sameer tum se ek baat kehna tha Sameer ka baat karne ka mood to
nahi tha lekin fir bhi usne sar ko haa me hila kar sehmati diya
P dad:- beta mujhe pata nahi mujhe ye baat tumse karna chaahiye ya nahi bas
ek request hai agar thik laga to maan lena warna maaf kar dena
Priya ki papa ki baat se kisi ko samajh me nahi aaya ki aakhir wo kehna kya
chaahte hai Sameer ke saath sabki najar unke taraf mudd gaya aur unki baat ka
intejaar karne lage
P dad:- beta mujhe bohat bura lag raha hai ki maine apna saara jindagi daru me
barbaad kar diya iss daru ki chakkar me main apne pariwar se dur ho gaya
khaas kar apni beti Priya se kabhi bhi apni beti ko uska hak nahi diya aur naa hi
apne jimmedaari ko nibhaya hamesha takleef hi diya hai aaj tak sukh ka jindagi
kya hota hai usne mehsus nahi kiya hai khair abb pachtaane se kuch nahi hoga
abb wakt beet chuka hai aur waapas nahi aayega aur naahi mera jindagi ka koi
bharosha hai itna daru pee liya hai ki pata nahi kab maut aa jaaye aakhiri iccha
bhi keh sakte ho isse main apni beti ka khushi chaahta hun aur chaahta hun ki
abb ye jindagi bhar khush rahe please Sameer meri beti ko hamesha khush
rakhna bohat acchi hai meri beti agar nadaani se koi choti galti ho bhi gaya to
maaf kar dena jindagi bhar saath dena Priya ka pata nahi ye sab kehme ka hak
ya fir ye sab maangne ka hak mere paas hai ya nahi lekin fir bhi tumse maangna
chaahta hun please mana mat karna itna keh kar Priya ke papa chup ho gaye
aur Sameer ko dekh uska jawaab ka intejaar karne lage unhone jo bhi kaha tha
sacche mann se kaha tha abb unhe bhi Priya ka bohat fikar hone laga tha itne
dino me unhone bhi mehsus kar liya tha ki Sameer aur Priya ka rishta kuch thik
nahi chal raha hai jaise dono hamesha khaamosh rehte hai unke aur Priya ke
maa ke saamne dono aise behave karte hai jaise dono ek dusre se anjaan hai
Sameer bhi Priya ke papa ka request sun kar soch me pad gaya ki usse kya
kehna chaahiye unka baat ka kya jawaab de issi soch me wo fir se ulajh gaya
kuch pal sochne ke baad usne jawaab diya
Sameer:- aap fikar mat kijiye mujhe apni jimmedaari ka eshas hai aur usse
nibhaaunga bhi jab tak hamaara divorce nahi ho jaata tab tak Priya ko koi taklif
naa ho iska main pura khayal rakhunga Sameer ke chehre me koi bhi bhaaw
nahi tha divorce ki baat kehte wakt fir usse bura lag raha tha lekin kisi tarah khud
par kaabu rakha divorce ki baat sunte hi Priya ki papa aur maa dono chaunk
gaye kisi ko Sameer ki baat par yakin nahi hua
P dad:- di divorce lekin kyu? Priya ki papa ne hakla kar aur chaunkte hue pucha
Sameer:- abhi tak nahi bataya Priya ne aapko? Sameer ne bhi hairaani ke saath
pucha
P dad:- nahi lekin wajah kya hai iss divorce ka Priya ke papa ka hairaani aur
dukh har badhta hi jaa raha tha
Sameer:- Priya se hi puch lijiye yahi behtar hoga Sameer abb kuch baat nahi
karna chaahta tha iss topic par aur bina kuch bole chala gaya apne room me
Sameer ke jaane ke baad Priya ka maa aur papa ka najar Priya ki taraf mood
gaya Priya ko Sameer ki baat sunne ke baad fir se usse khone ka dar lagne laga
lekin usne ye dar apne maa aur papa se chupa kar itna hi kaha
Priya:- iss baare me main aap dono se kal baat karungi Priya ka bhi abhi iss
baare me baat karne ka mood nahi tha wo itna keh kar chali gayi apne room me
Priya ki maa aur papa ek dusre ko dekhte reh gaye lekin kuch nahi bole apne
room me pahunch kar Priya ne dekha ki Sameer blanket se apna face cover kar
ke so raha hai Priya bhi light off karke bina kuch bole chali gayi apne bed me
sone dono sone ki puri koshish kar rahe the lekin aaj din bhar jo bhi hua uss
yaad me dono koneend hi nahi aa raha tha dono pyar attraction aur judaai ki
baato me raat bhar sochte rahe shaadi ki raat ke baad ye sabse mushkil raat tha
dono ke liye aaj bhi dono khud se hi lad rahe the apne feelings ko jaane ke liye
P mom:- kya hua Priya tujhe? teri aankh itni laal kyu hai? Priya ki maa ne subah
Priya ke room me jaate hi puch liya Priya ki maa ne jab Priya ka udaas aur latka
hua chehra dekha tab wo bhi ghabraa gayi iss wakt room me Priya aur Priya ki
maa hi the Sameer iss wakt ghar me nahi tha
Priya:- raat me bohat der baad neend aaya aur abhi kuch der pehle hi utthi hun
soo kar Priya ne bohat hi udaas aawaj me kaha uske aawaj se hi pata chal raha
tha ki wo kitna dukhi hai
P mom:- Priya tu thik to hai na teri swar bohat bhaari lag raha hai Priya ki maa ne
ghabra kar aur fikar ke saath pucha Priya ne kuch nahi kaha bas sar haa me hila
diya ki wo thik hai
P mom:- tu Sameer se pyar karti hai na? iss baar Priya ki maa ne Priya se sidha
sawal puch liya Priya iss sawal se ekdam chaunk gayi aur sar utha kar apni maa
ko dekha fir dhire se boli
Priya:- han aur agle hi pal uski aankho se aansu aa gaya Priya ki aawaj me ek
dard tha abb Priya ki maa se bhi raha nahi gaya turant unhone Priya ko baaho
me bhar liya aur baalo ko pyar se sehlaane lagi kuch der baad unhone pucha
P mom:- tu ro kyu rahi hai aur ye bata ki tum aur Sameer dono alag kyu ho rahe
ho? Priya ki maa ne pyar aur fikar ke saath pucha
Priya:- maa ye shaadi nahi ek majburi tha ham dono ki shaadi majburi me hua
tha papa ne mujhe majbur kar diya aur Sameer apni galti ki wajah se majbur ho
gaya shaadi ki pehli ya dusri raat me hi maine Sameer se divorce maanga tha
aur usne bhi haa keh diya Priya ki aankho me aansu aur aawaj me dard tha
Priya ka ye haal dekh uski maa ka bhi bohat bura haal ho raha tha unhone Priya
ka aisa dard dusri baar hi dekha tha pehli baar shaadi ki wakt me aur dusri baar
abb pehli baar to wo Priya ke liye kuch nahi kar paayi thi lekin abb jitna ho sake
utna Priya ko iss dard se baahar nikalna chaahti thi
P mom:- acche se bata Priya baat kya hai tu Sameer se pyar bhi karti hai aur
divorce bhi lene jaa rahi hai kya wajah ya majburi hai teri? saaf saaf bata Priya
main sab kuch thik kar dungi
Priya:- nahi maa kuch thik nahi kar paayengi aap aur nahi main bhi kuch thik kar
sakti hun main Sameer se pyar karne lagi hun lekin Sameer mujhse pyar karta
hai ya nahi ye baat mujhe pata nahi hai aur nahi puchne ki himmat bhi hai maine
hi usse divorce ki baat kiya tha tab main usse bohat nafrat karti thi aur kabhi
socha nahi tha ki main usse pyar kar baithungi aaj bohat dar lag raha hai maa
Sameer se judaa hone ka bohat dar lag raha hai jab se main Sameer ke ghar
gayi hun tab se ek alag hi Sameer ko dekha hai ye wo Sameer nahi tha jisko
maine jaana tha jisko maine dekha tha jis Sameer ko main jaanti thi aur jo asli
Sameer hai usme jameen aasman ka fark hai bohat badi misunderstanding ho
gaya tha mujhe Sameer ko jaane me jab se usko acche se jaana hai tab pata
chala hai ki wo kitna accha aur saccha hai sabse pehle to maine ye dekha ki wo
apne maa aur papa ka kitna respect karta hai jab mera shaadi usse hua aur main
uske ghar me gayi tab usne sidhe jaakar apne parents se apne galti maan liya
uske papa ne usko maara bhi aur bohat daanta lekin usne kuch nahi kaha apna
galti maan liya aisa ek ya do din tak nahi hua aaj tak hota aa raha hai Sameer ke
papa aaj bhi Sameer se naraaj hai aur iss baat ka bohat dukh bhi hai Sameer ko
lekin usse apne papa se koi shikaayat nahi hai aur unhe sahi maan raha hai iske
baawjood maine dekha hai ki wo apne parents ke saath kaise politely behave
karta hai aur unhe kitna maanta hai jab usne mujhe apna bhool ke baare me
bataya tab pata chala ki usme kitna insaaniyat hai khud ki jaan ki fikar na karke
kisi anjaan ko bachana ya fir insaaniyat ke naam me apne dushman ka bhi saath
dena apne dosto ho ya fir koi aur wo sabhi ke saath bohat acche se baat karta
hai aur respect deta hai aur sabse badi khubi usme mujhe tab najar aaya jab
usne sach me dil se apni bhool ka maafi maanga wo jaanta tha ki main usse
maaf nahi karungi aur usse bura bhala kahungi fir bhi usne koi fikar nahi kiya aur
apna galti ka maafi maangta raha main bhi samajh sakti hun ki jisse ham itna
nafrat karte hai aur wohi hame jaleel karta hai to kitna bura lagta hai lekin tab
Sameer ne apna self respect bhul kar apna galti ka maafi maangta raha jab bhi
wo maafi maangta tha tab sirf apna galti ki hi baat karta tha kabhi usne mujhse
ye nahi kaha ki tumhara bhi galti hai ki pehle tum aur Karan aa kar mujhe irritate
karte the isa liye main tum logo se nafrat karne laga aaj sochti hun tab lagta hai
ki galti mera bhi tha thoda sa lekin usne jo kiya shaayad usse main kabhi maaf
nahi karti lekin uski acchaayiyon ne mujhe majbur kar hi diya usko maaf karne ke
liye ha usse ek bada galti hua tha lekin wo anjaane me hua tha iss galti ka usne
praayaschit bhi kiya sache dil se maana bhi aur Sameer ko iss galti karwane me
Shruti ka haath tha inn dino me maine ye jaana ki Sameer kitna accha ladka hai
jisko mera soch ne galat bana diya ye sab jaante hue bhi main usko maaf nahi
kar paa rahi thi lekin jab usne yaha aakar anjaane me hi papa ko badal diya tab
ye saari baatein sochne par main majbur ho gayi aur uss wakt mera saara gussa
aur nafrat Sameer ke liye pighal gaya aur maine usse maaf kar diya uske baad jo
baat cheet suru hua hamaare bich usne sab kuch badal diya jab bhi wo baat
karta hai to aisa lagta hai ki uski baat sunti hi chala jaau uski baato ki paagal pan
aur majaak sunne me bohat majaa aata hai yahi chhoti chhoti baat aur uska
mujhse baat karne ka tarika mujhe uski taraf kab khinchta chala gaya pata hi
nahi chala yahi 2 dino me mujhe Sameer se pyar ka ehsas ho gaya subah se
shaam tak har pal bas usko hi dekhne ka mann karta hai mann karta hai ki wo
meri najaro ke saamne hi rahe aur mujhse baatein karta rahe jab se Sameer ko
maaf kiya hai uski baatein bohat accha lagne laga hai bas yahi chaahti hun ki mo
mujhse baat kare aur main usse baat karti rahu jab kuch pal ke liye bhi usse alag
hoti hun to bilkul bhi accha nahi lagta hai pata nahi ye 2 din me kaisa jadoo ho
gaya ki uske aur paas khinchti chali jaa rahi hun wo paas rehta hai to dil ko
sukoon milta hai aur wo dur rehta hai to udaasi chaa jaati hai jab kal usne pehli
baar divorce ki baat kaha to bohat bura laga aisa laga jaise koi apna mujhse alag
ho raha hai tab jaa kar pehli baar ehsas hua ki Sameer mera dil ki gehraayi tak
bas gaya hai jab kal raat usne divorce ki baat kaha tab raat bhar main issi ke
baare me sochti rahi raat bhar har pal bechaini aur dar laga hi raha uss wakt
mujhe ehsas hua ki main usse pyar karne lagi hun jab usko chot laga to dil ek
dam se ghabra gaya chot usse laga aur dard mujhe mehsus hua abb to uska
choti si choti baato ki bhi fikar hone laga hai mujhe 2 din me ek aisa bhi pal nahi
tha jab uske baare me maine nahi socha ho har pal uske baare me sochte wakt
chehre me ek muskaan aa jaata tha ek alag hi lagaaw ho gaya tha usse jise
main jaan nahi paayi thi lekin abb pata chala ki wo pyar ka suruwat tha abb
mujhe yakin ho gaya ki pyar kisi se bhi kisi pal ho jaata hai ye baat mujhe tab
pata chala jab mujhe ye dar sata raha tha ki main Sameer se bohat jald dur ho
jaaungi pyar ka ehsas to bohat pehle hi hua tha lekin samajh nahi paayi thi
achanak judaai ka khayal aate hi pyar ka ehsas ho gaya tab mujhe pata chala ki
jo insaan mujhse judaa ho raha hai wo mere liye kya maaine rakhta hai uska kya
jagah hai meri jindagi me ye saari baatein hi kal raat bhar socha maine tab jakar
ye ehsaas hua ki main Sameer se pyar karne lagi hun jab Sameer ne divorce ka
baat kaha tab ye dar sataane laga ki ye divorce hone ke baad mera kya haal
hoga abhi ek pal ki judaai bardast nahi hota baad me jindagi bhar ka judaai kaise
seh lungi ye baat sochte hi dil me bohat dard mehsus hone laga haalat aisa ho
gaya hai abb ki na roo paa rahi hun aur na chain se jee paa rahi hun itna keh kar
Priya chup ho gayi ye kehte wakt Priya ke chehre me ek utsaah aa gaya tha
apna pyar ke baare me kehte wakt uske chehre me bohat utsaah tha lekin apni
baat khatam karne ke baad fir ek udaasi Priya ki maa kuch kehne hi wali thi ki fir
Priya hi bol padi
Priya:- kaisi ajeeb aur bebas haalat ho gayi hai meri jis ladke se main pyar karti
hun usse shaadi bhi ho gaya hai lekin uska patni hone ka hak mujhe nahi hai aur
bohat jald hi usse alag hone wali hun aur main kuch bhi nahi kar sakti Priya ne
bebas aur udaas aawaj me kaha
P mom:- jab tu Sameer se itna pyar karti hai to usko batati kyu nahi ki tu usse
pyar karti hai ek baar bata de apni dil ki baat Sameer ko aur dekhna sab kuch
thik ho jaayega jab pyar kiya hai to bataana bhi chaahiye bina izhaar ke pyar ka
koi arth(value) hi nahi hota hai jab tak tu Sameer ko nahi batayegi ki tu usse pyar
karti hai to wo kaise jaan paayega shaayad wo bhi tujhse pyar karta ho lekin tere
dil ki baat na samajh kar tujhse divorce lene ke liye majbur ho wo to yahi
samjhega na ki tu usse nafrat karti hai Priya ki maa ne samjha kar Priya ko kaha
Priya:- nahi maa wo mujhse pyar nahi kar sakta hai Sameer ne pehle hi Shruti se
vaada kiya hai ki mujhse divorce lene ke baad Shruti se shaadi karega (uske
baad Priya ne apni maa ko Shruti aur Sameer ki shaadi tak ki baat bata di) maa
main acche se jaanti hun abb Sameer ko wo apna vaada kabhi nahi todega jab
usne Shruti se shaadi ka vaada kiya hai to mujhse kyu pyar karega aur agar
main usse kahungi ki main usse pyar karti hun to wo do raah me bhatak jaayega
ek wo mere saath rehne ke liye majbur ho jaayega ki usne mera jindagi barbaad
kar diya aur dusra wo Shruti ke saath shaadi karna chahta hai apna vaada aur
pariwar ke izzat ke liye pehle hi Shruti ki maa ne Sameer ka parents ko unke hi
ghar me beizzat kiya tha behtar yahi hoga ki main chup hi rahungi issi me sab ka
bhalaayi hai kisi tarah jee lungi apni jindagi lekin abb ye nahi chaahti ki meri
wajah se Sameer ko koi taklif ho pehle hi bohat taklif jhel liya hai usne Priya ki iss
bebas baat par Priya ki maa bhi kuch nahi keh saki unhe kuch samajh me nahi
aa raha tha ki kya kahe aur kya kare ek baar fir majbur ho gayi wo apni beti ki
jindagi ko taklif me dekhne ke liye
P mom:- ye sab wakt ka khel hai beta pata nahi kab tere bure din khatm honge tu
uss ladke se pyar kar baithi jiske paas har wajah hai pyar karne ke liye shaayad
hi koi kami ho Sameer me bohat hi accha ladka hai wo usme har gun hai jo ek
accha ladka me hona chaahiye uski baato se hi pata chalta hai ki wo kitna
samajhdaar aur jimmedaar hai teri baato se pata chalta hai ki hamesha wo sab ki
khushi chaahta hai aur bina wajah kisi ko pareshan nahi karta agar wo tujhse
pyar karega to jindagi bhar tujhe khush rakhega aur koi taklif nahi hone dega
tune iss baar sahi ladke ko pasand kiya hai bas abb yahi dua karungi ki sab kuch
thik ho jaaye aur tum dono ek ho jao Priya ki maa ne udaas aur aasha bhari
aawaj me apni baat kaha
Priya:- maa main kitni unlucky hun galat wakt me galat insaan se pyar kiya jab
sab kuch thik tha tab uss dhokhebaaz Karan se pyar kar baithi aur abb Sameer
se Sameer se bohat hi galat wakt me pyar kar baithi ye jaante hue bhi ki wo
mera nahi ho sakta jab judaai ka wakt aaya tab usse pyar kar baithi aisa lagta hai
ki mera pyar karna ek gunaah hai nahi beti tune Sameer se pyar kiya isme tera
koi galti nahi hai piche khade Priya ki papa ki aawaj aaya Priya ki papa ki iss
aawaj par dono hi chaunk kar unke taraf dekhne lage lekin unhone iss baat ka
fikar kiye bina aage kehne lage
P dad:- tune galat wakt par galat insan se pyar nahi kiya hai tune der se sahi
insan se pyar kiya hai main tujhse baat karne aane hi wala tha ki tum dono ki
baat se sab kuch pata chal gaya bas beta itna kahunga ki abhi bohat wakt hai
divorce me ek pal hi kaafi hota hai haalat badalne ke liye maine dekha hai
Sameer ki aankho me tere liye chaahat wo bhi tujhse pyar karne laga hai lekin
abhi wo apne pyar se ya to anjaan hai ya fir iss pyar se dur bhaag raha hai
mujhe yakin hai divorce hone tak tum dono ek ho hi jaaaoge Shruti ki asliyat
Sameer ko bohat jald pata chal hi jaayega main yakin ke saath keh sakta hun ki
wo aisi murkhata dobaara jarur karegi jab tujhe aur Sameer ko paas aata
dekhegi aur uss wakt Sameer ko uski asliyat pata chal hi jaayega itna keh kar
Priya ki papa chup ho gaye pehli baar unhone aisi baat kahi jisse sunne ke baad
Priya khush ho gayi aur aasha ki ek kiran najar aaya Priya ki aankho me kuch
der baad Priya ki maa aur papa chale gaye Priya ki papa ne bohat badi baat keh
diya tha ki unhone Sameer ki aankho me bhi Priya ke liye chaahat dekha hai ye
bahur badi baat tha Priya ke liye kuch der pehle wo Sameer se bicchadne ke
baad ki jindagi ko soch kar dukhi thi aur baar baar usko yahi dar sata raha tha ki
Sameer ka uske jindagi se jaane ke baad uska kya hoga lekin apne papa ki baat
sunne ke baad Priya ko aasha ki kiran najar aane laga wo Sameer me aaye
badlaaw ke baare me sochne lagi Sameer ka uske saath baat karna usko
dekhna aur muskuraana ye sab sochte hi Priya ke chehre me thoda sa sharm
aur muskaan aane laga abb usse bhi lagne laga ki Sameer aur wo ek dusre ke
liye hi bane hai abb usse Shruti ka bhi koi dar nahi tha wo jaanti thi ki aaj nahi to
kal Shruti ka asliyat Sameer ke saamne aa hi jaayega wo abb iss bare me
sochna bhi nahi chaahti thi usse to abb apna aur Sameer ke future ke baare me
sochna tha wo abb bas Sameer ke saath rehna aur Sameer ko Shruti naam ke
tension se dur rakhna hi chaahti thi iske alawa usse kisi aur baat ka koi fikar nahi
tha yahi sab sochte hue Priya ek baar fir Sameer ke khayalon me khone lagi
Sameer ke saath hua pehli mulakat se lekar aakhiri mulaakat tak ka scene film
jaise uske aankho ke saamne chalta raha kabhi usse apne bewkoofi par hansi
aata to kabhi Sameer ke baare me galat sochne ke liye khud par hi gussa aata
Karan ka bewafaayi yaad karne par ek bar fir uske dil me halka sa dard utth gaya
lekin agle hi pal Priya ne khud ko sambhal liya Sameer ke saath me wo kab
Karan aur uski buri yaadon ko bhulti chali gayi usse pata bhi nahi chala abb
Karan Priya ka kadwi yaadon me hi simat gaya tha Sameer ka bhool yaad aur
apna shaadi ka wakt yaad karte wakt Priya ko Sameer par ek baar fir se gussa
aaya lekin uske aage ke pal ko sochte hi fir se uske chehre me muskaan aa gaya
ye wohi Sameer tha jisse Priya ko pyar ho gaya tha yahi sab baatein yaad karte
hue Priya Sameer ka intejaar karne lagi jabse Priya ko yakin hua tha ki wo sach
me Sameer se pyar karti hai tabse usne Sameer ko dekha bhi nahi tha dhire
dhire uski bechaini bhi badhta hi jaa raha tha ghadi me dekha to pata chala ki
subah ka 9:00 am baj raha tha abhi tak Sameer ghar me waapas nahi lauta ye
baat soch kar Priya ko Sameer ka fikar bhi hone laga Sameer kaha jaa sakta hai
iss baat ka bhi andaaza nahi tha Priya ko intejaar ke siwa koi raasta bacha bhi
nahi tha har ek pal bhaari pad raha tha Priya ko intejaar me aaj Priya ko ehsas
hua ki pyar me intejaar kitna tadpaata hai kuch wakt pehle wo jis Sameer ko
ignore karti thi aaj uske bina ek pal bhi mann nahi lag raha tha khair Sameer ki
yaadon ki sahare wo Sameer ka intejaar karne lagi usse jyada intejaar karna
nahi pada karib aadha ghanta baad Sameer ghar laut aaya Sameer ka chehra
dekhne par aisa lag raha tha ki wo thoda pareshan hai Sameer room me aate hi
bed par jaakar baith gaya aur ek gehri soch me doob gaya Priya ko Sameer ka
yun ignore karna bilkul bhi accha nahi laga jo Sameer kal tak usse baat karte
wakt paagalo jaisa behave karta tha aaj ek dam khaamosh ho gaya aur usse
ignore karne laga fir bhi Priya ne iss baat ko ignore karke pucha
Priya:- kya hua Sameer pareshan lag rahe ho Priya ki baat sun kar Sameer ne
Priya ko dekha aur kaha
Sameer:- han thoda sa Shruti ne aaj bhi mood off kar diya Sameer ne pareshan
aur halka gusse wala aawaj me kaha Shruti ka naam sun kar Priya ko bohat
gussa aa raha tha lekin usne apne gussa par kaabu karte hue pucha
Priya:- kya baat hua Shruti se?
Sameer:- keh rahi thi ki bohat din ho gaya mujhse mile hue aur puch rahi thi ki
main kal hi waapas aa jaau
Priya:- fir tumne kya jawab diya?
Sameer:- maine usse samjhaane ki koshish kiya ki abhi aa nahi sakta kuch din
baad aa jaaunga lekin wo maane ko taiyar hi nahi baccho jaisa jidd karne lagi ki
kal mujhe aana hi hoga bohat samjhaaya lekin wo maane ko taiyar hi nahi hai
issi wajah se mujhe bhi gussa aa gaya aur phone cut karke aa gaya Sameer ne
bohat gusse me kaha uski aawaj se pata chal raha tha ki wo Shruti par kitna
jyada gussa hai Sameer ke baat sunne ke baad Priya ko bhi Shruti par bohat
gussa aa raha tha Shruti ka Sameer ko yun khilauna ki tarah istemaal karne ki
baat Priya ke bardaast ke baahar tha lekin wo abhi Sameer ke saamne kuch nahi
karna chaahti thi lekin Priya ko Sameer ka Shruti se gussa hona dekh accha bhi
lag raha tha usse yakin ho gaya ki Sameer abb Shruti par pehle jitna hadd se
jyada vishwas nahi karta hai aur Sameer ko bhi Shruti ka asli roop ke baare me
dhire dhire pata chal raha hai
Priya:- to ham kal jaa rahe hai waapas Priya ne halka maayus aur gussa ke
saath kaha
Sameer:- nahi jab tum chaahogi tab hi wapas jaayenge Shruti ki baat ko itna
seriously mat lo wo to kuch bhi kehti rahegi aur har baat main maan to nahi sakta
aur khaas kar aisa bina matlab ke jidd to bilkul bhi nahi itna keh kar Sameer ne
gusse me apna mouh dusri taraf fer liya Sameer ka gussa dekh Priya ko pata
chal gaya ki ye gussa Shruti ke liye hai usne socha kuch der Sameer ko shaant
chhod dena hi thik rahega karib 10 minute chup rehne ke baad bhi jab Priya ko
Sameer ka gussa me jyada badlaaw nahi dikha to usne puch hi liya
Priya:- abb bhi gusse me ho gussa thuk do aur cool ho jao pehle wale Sameer ki
tarah Priya ne muskuraate hue kaha ye soch kar ki Sameer maan jaayega lekin
usse kya pata tha ki Sameer ka ye gussa itni jaldi khatam hone wala nahi tha
Sameer:- kaise gussa thuk du sehne ke bhi ek hadd hota hai bohat seh liya
Shruti ka jidd aur nakhre abb bardaat nahi hota hai wo jaise chaahe waise mujhe
nacha rahi hai aur mujhe naachna hi pad raha hai warna uska drama kisi sar
dard se kam nahi pata nahi wo mujhse pyar karti hai ya mujhe apna gulaam
samajhti hai Sameer ka gussa kam hone ki jagah aur badh gaya
Priya:- pyar me itna hak to hota hi hai ye sab normal baatein hai isse bhul jao aur
ego par mat lo Priya abhi kisi bhi haal me Sameer ka gussa kam karna chaahti
thi issi liye usne Sameer ko samjha kar kaha lekin Sameer gusse me itna paagal
ho gaya tha ki wo koi bhi baat sunna nahi chaahta tha
Sameer:- ye pyar nahi khudgarzi hai agar wo sach me mujhse pyar karti to mera
bhi feelings aur emotions ka respect karti lekin nahi wo to mujhe apna gulaam
samajhti hai aur apna har ek kaam nikalwati hai mujhse ye bhi nahi sochti ki
mera marji kya hai aur main kya chaahti hun Sameer ne ek baar fir apna dil ka
bhadaas nikala iss baar Priya ko laga ki Sameer ko shaant chhod dena hi thik
rahega Sameer kuch pal to shaant raha lekin agle pal fir gusse me kaha
Sameer:- mujhse sach me insaan pehchaane me galti ho jaata hai ek tum ho aur
dusra Shruti meri wajah se tumhe kitna kuch sehna pada yaha tak ki tumhaari
jindagi hi barbaad hone wali thi lekin tumne mujhe maaf kar diya aur dosto ki
tarah baat karti ho aur fikar bhi karti ho lekin dusri taraf ye Shruti kabhi chhain se
jeene nahi de rahi hai hamesha apna nakhre aur be matlab ki jidd se pareshan
karti rehti hai kuch kaho to mouh fulaane ka acting tang aa gaya hun main usse
pata nahi kis manhoos wakt me usse mulaakat hua tha itna keh kar Sameer
chup ho gaya chehre me gussa abhi bhi jhalak raha tha ye sab kehne ke baad
usse mehsus hua ki usne kya kaha hai kaha kal usne socha tha ki Priya se jitna
ho sake utna dur rahega lekin kaha wo apne emotions aur gusse me beh kar
Priya ka hi taarif karne lag gaya wo jo nahi chaahta tha wohi karne lag gaya tha
Shruti se dur aur Priya ke karib jo kadam uska chal raha tha ye usse baar baar
yahi sochne par majbur kar raha tha ki ye pyar hai ya attraction dil kehta tha pyar
lekin dimaag iss baat ko jhutha saabit karne ki koshish me kehta tha attraction
dusri taraf Priya bohat khush hui Sameer ke mouh se apna taarif aur Shruti ka
buraayi sun kar usse abb yakin ho raha tha ki bohat jald hi Sameer ko Shruti ka
asliyat pata chalne wala hai aur usse kuch karne ki jarurat bhi nahi padega jis
tarah se Shruti khud hi apni harkaton se Sameer ke dil me apne liye duriyan
badha rahi hai Priya Sameer ko Shruti se cheen kar paana nahi chaahti thi wo
bas itna chaahti thi ki Sameer ko khud hi Shruti ki asliyat pata chal jaaye aur
Sameer ko bhi usse pyar ho jaaye wo apne pyar ko paane ke liye koi chaal ya fir
jor jabardasti karna nahi chaahti thi wo bas itna chaahti thi ki jaise wo Sameer se
pyar karti hai waise hi Sameer bhi usse dil se pyar kare aur ue sab cheej wo
wakt ke haatho me chhodna chaahti thi abhi ke liye to wo Sameer ko bas apna
pyar jataana chaahti thi aur pyar se bhara ek naya rishta ka suruwat karna
chaahti thi
Priya:- tumne kya wish maanga? mandir se nikalte hi Priya ne Sameer se sawal
kiya
Sameer:- jyada kuch nahi bas itna hi maanga ki jindagi me thoda sa chhain mil
jaaye picchle 6 months se jindagi nark ban gaya hai har wakt tension aur mood
ka band baj gaya hai picchle kuch wakt se tension gussa pareshaani paschataap
aatmaglaani jaisi feelings sata raha hai abhi kuch kuch thik to ho gaya hai lekin
fir bhu ek ajeeb sa uljhan dimaag me aa raha hai shaayad hi kabhi pichle 6
months me ek baar bhi dil se hansa hun jindagi bohat ulajh gaya hai bas itna
chaahta hun ki jaldi se sab kuch thik ho jaaye aur main chhain ka saans le saku
Sameer ki aawaj me halka pareshani tha
Priya:- hamara saadi ka to abhi tak sirf 2 months hua hai to fir tum 6 months se
kaise pareshan ho tumhaari pareshaani to hamaara shaadi ke baad se suru hua
hai na
Sameer:- asli pareshani hamaare shaadi ke baad suru hua warna shaadi se
pehle 3 months tak Shruti mera mood ka band bajati rahi aur 1 month main
tumhaari jindagi ko barbaad karne ke baare me sochta raha aur uske baad ke 2
months shaadi ka side effects Sameer ne halka darte hue aur halka muskurate
hue kaha
Priya:- accha to tum itni tension ke baawjud time calculation kar lete ho
Sameer:- arre nahi main to Sameer itna bol kar Priya ki taraf dekhta hai Priya
Sameer ki haklane ki wajah se hans rahi thi ye dekh kar Sameer samajh gaya ki
Priya uska taang khinch rahi hai uske baad Sameer bhi Priya ke saath hansne
laga kuch der aage tak dono aise hi chalte rahe fir Sameer ko kuch yaad aaya
aur wo bola
Sameer:- ek bura wakt hi to hai jo hame acche se yaad rehta hai aur ham jindagi
bhar yaad karte hai ki iss manhoos pal me hamaare saath kya kya hua tha aur
ye yaad karte hai ki kitne wakt tak hamne uss manhoos pal ko jhela tha warna
accha aur khushi ke pal to chutki bajate hi nikal jaate hai bas issi wajah se ye
sab yaad reh gaya Sameer ne Priya ki taraf muskura kar kaha
Priya:- abb tum koi tension mat lo Priya ne tumhe maaf kar diya iska matlab abb
tumhari jindagi me koi dukh pareshaani aur chinta nahi aayega aane wale pal
khushi ke saath bitega ye mera aashirbaad hai Priya ne bhi muskura kar kaha
aur uske kehne ki andaaj se pata chal raha tha jaise usne ye keh kar Sameer ka
upakar kar diya hai Sameer bhi Priya ki iss baat par muskura kar kehta hai
Sameer:- dhanyabaad devi ji aap meri jindagi me aayi aur mera sab kasht abb
dur hone wala hai itna keh kar Sameer aur Priya dono hi hansne lage bich bich
me chori se ek dusre ka chehra dekh lete aur fir hansne lagte
Sameer:- wakt ke saath saath hamaara jindagi kitna badal jaata hai na nayi
jagah aur nayi insaanobse mulaakatein kitna badal deta hai hamaare jindagi ko
dono ka hansi rukne baad aur thoda aage badh kar Sameer ne kaha Priya usse
dekhti rahi aur uske chehre ki bhaaw se aisa lag raha tha jaise wo Sameer ki
baat ka matlab samajhne ki koshish kar rahi thi
Sameer:- tumhaara mere jindagi me aane ke baad mera jindagi ekdam se badal
gaya kabhi socha hi nahi tha ki jindagi me main aisa bhool kar baithunga aur aisi
haalat ban jaayenge tumne bhi to kabhi nahi socha hoga na ki ek mujh jaisa
ladka ki wajah se tumhaari life me itna bada tufaan aa jaayega tumhaari shaant
jindagi me meri wajah se itna bada tufaan aa gaya aur kitna kuch sehna pada
bina koi galti ke Sameer abb thoda serious dikhne laga uske iss baat par Priya
ne muskura kar jawaab diya
Priya:- yahi to jindagi hai Mr Sameer wakt ke saath haalat badalte rehte hai nayi
insaano se mulaakat hoti hai nayi haaalat saamne aate hai acche pal aur bure
pal se bohat kuch anubhav karte hai aur sikhte hai naye aur anjaan insaano se
jaan pehchan badhta hai aur jaan pehchaan wale insaan se duriyan bhi badhta
hai koi paas aata hai aur koi dur chala jaata hai aur kisi se iss tarah ka lagaaw ho
jaata hai ki ham kabhi nahi chaahte ki wo hamse bicchad jaaye aisejindagi ka
safar chalta hi rehta hai abb ham dono ko hi le lo pehli mulaakat se ham
dushman ban baithe aur wakt ke saath saath ye dushmani aur gehra hote chala
gaya fir aise pal aaye jindagi me ki hame ek dusre ki acchaiyan dikhne laga
dushman se kab dost ban gaye pata hi nahi chala kitna kuch mehsus kiya hamne
apne galti aur haalato se sach me jindagi se bohat kuch sikha itna keh kar Priya
chup ho gayi aur Sameer ko dekhne lagi Sameer Priya ko aise dekh raha tha
jaise wo Priya me hi kho gaya hai
Priya:- aise kya dekh rahe ho Priya ne thoda hairani ke saath aur thoda
Sharmaate hue kaha
Sameer:- jo baat main tumse kehne wala tha wo hi baat tumne mujhe hi samjha
diya sach me bohat hi talented ho tum
Priya:- wo to main bachpan se hi hun Priya ne muskura kar kaha aur isa baat par
Sameer bhi muskuraaye bina nahi reh saka
Sameer:- Priya sach me tum bohat samajhdar ladki ho har haalat ko acche se
samajhti ho aur haalaton me sahi galat ka pehchaan bhi acche se kar leti ho
Sameer ne Priya ka taarif karte hue kaha
Priya:- thanks
Sameer:- taarif nahi kar raha hun sach keh raha hun aaj Sameer jyada hi majaak
ke mood me tha Sameer ka iss baat par Priya ne jhuttha gussa dikhaaya
Sameer:- nahi nahi main bas majaak kar raha tha Sameer ne bhi darne ka
naatak karte hue kaha
Priya:- aaj kal bohat majaak karne lag gaye ho
Sameer:- tumne hi to kaha tha
Priya:- maine aisa kab kaha abb jhuthi kahani bhi banane lag gaye ho Priya ne
majaak me hi daant kar kaha
Sameer:- tumne hi to kaha tha ki pehle wale Sameer ban jao abhi wohi to banne
ki koshish kar raha tha Sameer ne muskura kar jawaab diya
Priya:- bas bas abb bohat ho gaya jyada hansi majaak bhi health ke liye hani
karak hai
Sameer:- kisne kaha laughing is good for health
Sameer aaj kisi bhi tarah se iss masti majaak me piche rehna nahi chaahta tha
Priya:- agar tum abb chup nahi hue to tumhare liye laughing is injurious for health
hoga
Sameer:- wo to drinking alcohol is injurious for health hota hai Sameer ne iss
baar hanste hue kaha aur Priya ko dekha Priya bhi andar se to muskura rahi thi
lekin wo aankho se aisa dikha rahi thi ki agar Sameer chup nahi hua to wo usse
kaccha chaba jaayegi
Sameer:- accha thik hai jaisa aapki marji chup ho jaata hun itna keh kar Sameer
chup ho gaya waise bhi uske paas bolne ke liye kuch bacha nahi tha thoda dur
jaane ke baad fir Priya ko kuch yaad aaya aur wo boli
Priya:- abb kaisa mood hai tumhara
Sameer:- accha hai lekin kyu puch rahi ho Sameer ko Priya ka iss sawal ka
matlab pata nahi chala
Priya:- subah se hi tum gusse me the aur pura dopahar mood off tha tumhara to
socha tumhe mandir ghumaane le chalu abb saara gussa utar gaya ya fir mandir
chaloge
Sameer:- sach me saara gussa utar gaya aur dimaag cool ho gaya ek sukoon sa
mil raha hai abb saari tension aur chinta se Priya aaj ek baat maine mehsus kiya
Priya:- kya Priya ne hairaani aur utsukta se jawaab diya
Sameer:- tum bhagwan ko bohat maanti ho aaj jaise tum puja kar rahit hi uss se
to yahi lag raha tha
Priya:- han bohat maanti hun aur puja jyada nahi karti hun bas kabhi kabhi lekin
hamesha sache dil se bhagwan ka yaad karta hun itna keh kar Priya ne Sameer
ko dekha aur pucha
Priya:- tum bhagwan ko nahi maante ho kya?
Sameer:- maanta hun bas tumhare baare me puch raha tha kuch dur aage
chalne ke baad fir Sameer ne pucha
Sameer:- waise aaj tumne kya wish maanga? Sameer ne utsukta ke saath pucha
Priya:- nahi bataungi secret hai Priya ne muskuraate hue jawab diya
Sameer:- mujhse puch liya aur khud nahi bata rahi ho bohat naa insaafi hai
Sameer ne baccho ki tarah naraaj hone ka naatak karte hue kaha iska jawaab
me Priya sirf muskuraati rahi aur Sameer bhi iss baat ko bhul kar aage chalne
laga kuch hi der me dono ghar pahunch gaye masti majaak me dono ko pata hi
nahi chala ki dono kab ghar pahunch gaye ghar pahunchne ke baad Priya fresh
hone chali gayi aur Sameer room me aa kar bed me baith kar muskuraate hue
sochne laga
Sameer:- (in his mind) ye Priya ko ignore kar paana mera bas ki baat nahi hai jab
bhi wo saamne aati hai ya mujhse baat karti hai mere chehre me bhi muskaan aa
jaata hai aur usse baatein karne lagta hai bohat sukoon milta hai uske saath
rehne me wakt bitaane me aur baat karne me Priya ko ignore kar bhi nahi sakta
aur karna bhi nahi chaahiye kya wajah hai ignore karne ka aur kyu karu? sirf yahi
wajah se ki main uska taraf khincha jaa raha hun aur usse pyar kar sakta hun ye
to khud se hi majaak kar raha hun main iss chakkar me main Priya se apna dosti
bhi kho baithunga abb kuch hi wakt to hai hamaare paas uske baad wo kaha aur
main kaha kabhi mulaakat hoga bhi ya nahi jitna bhi wakt hai hamaare paas usse
hansi khushi bitaana chaahiye naki dar kar aur dur rehne ka soch kar jo bhi hoga
dekha jaayega future ka soch kar present se dar raha hun main koi galat bhi to
nahi kar raha hun dosti karna koi galti bhi to nahi hai jo main dar raha hun abb
Priya ne bhi mujhe maaf kar diya hai to abb koi fikar nahi saari haalaton se lad
sakta hun waise bhi Sameer darne walo me se nahi hai agar pyar ho bhi gaya to
dekha jaayega pyar se to bade bade mahan insaan nahi bach paaye hai to main
kya bach paaunga abb main darke nahi jiyunga waise hi meri jindagi ka pehle hi
itna majaak ban gaya hai abb aur nahi abb main apne present me jiyunga aur
khud ko aur saja nahi dunga baad ki baat baad me dekha jaayega waise bhi
main saccha hun aur mujhe kisi baat ka dar nahi hona chaahiye aur abb main
Priya ke saath dosti me koi bhi compromise nahi karunga pyar ki dar se Priya aur
mera dosti jaisa chal raha hai waisa hi chalta rahega itna soch kar Sameer ne tat
kar liya ki usne jo kuch bhi socha hai wahi karega iss gaanw me aane ke baad
Sameer aur Priya ka soch puri tarah se badal gaya aur suruwat ho gaya pyar ke
rishte ka ek hafta aur Priya ke ghar me rehne ke baad Sameer ne wapas apne
ghar jaane ki baat Priya ko bataya karib 2 hafte iss gaanw me rehne ke baad
Sameer aur Priya ki jindagi ek dusre ke saath bartaaw air soch sab kuch badal
chuka tha dono ke bich najdiki badh raha tha aur saath hi pyar ka suruwat dono
ke dil me ho gaya tha Priya ko apne pyar ka ehsas ho gaya tha aur Sameer apna
pyar ya aakarshan(attraction) ke bich uljha hua tha Sameer aur Priya ke rishte ke
alawa bhi bohat kuch badlaaw aa gaya tha bohat der se hi sahi Priya ke papa ko
apne jimmedaari aur galti ka ehsas ho gaya tha Priya ko abb apne maa aur papa
se koi shikaayat nahi tha wo apne jindagi me aaye hue badlaaw se bohat khush
thi maa papa Sameer aur Divya sabhi ka saath usse mil gaya tha kuch din pehle
hi wo apne jindagi me aaye tufaan ke saamne toot si gayi thi lekin iss tufaan ka
thamne ke baad usko bohat saare khushiya mil gaya abb jindagi se bas usse ek
hi cheej chaahiye tha Sameer aur uska jindagi bhar ke liye ek hona aur usse
vishwas tha ki ek din Sameer uska ho hi jaayega jaate wakt Priya ke papa ne
Sameer se kaha p dad:- Sameer ek baat kehna hai tumse Priya ki iss baat par
Sameer ne unko dekha aur bina kisi bhaaw se kaha
Sameer:- ji kahiye Priya ki papa Sameer ki iss baat se samajh gaye ki Sameer
ne abhi tak unhe maaf nahi kiya hai lekin unhone iss baat ka parwah kiye bina
apni baat kehna suru kar diya
P dad:- beta ye baat mujhe tumse Priya ka vidaayi ke wakt hi kehna chaahiye tha
lekin keh nahi saka yaa fir kehna hi nahi chaaha beta abb jab apni galti ka ehsas
ho gaya hai abb dar aur fikar lagne laga hai Priya ke liye bohat hi masoom hai
meri beti jab tak ye hamare ghar me thi tab to maine kuch nahi kiya lekin abb jab
sache dil se apne beti ke liye kuch karna chaahta hun to kuch kar nahi sakta
shaayad yahi meri gunaah ka sajaa hai abb wo iss ghar ki beti se jyada tumhaari
patni hai maine aisa kuch kiya nahi hai tumhare liye aur nahi hak hai mujhe ki
tumhe ye keh saku ki jo main kahu wo tumhe maana hoga fir bhi ek request hi
samajh lo Priya ko hamesha khush rakhna koi dukh nahi dena agar anjaane me
koi choti galti ho bhi jaaye to usse maaf kar dena itna kehne ke baad Priya ki
papa ki aankho me halka sa aansu aa gaya unhone ummeed bhari nigaho se
Sameer ko dekha Sameer Priya ki papa ki baato me ek baar fir ulajh gaya usse
samajh me nahi aa raha tha ki usse kya kehna chaahiye aur kya nahi kuch der
chup rehne ke baad Sameer ne kaha
Sameer:- aapko maine pehle bhi keh diya hai uncle jab tak Priya mere saath
rahegi divorce se pehle usse koi dukh nahi hone dunga aur naahi kisi cheej ka
kami ye shaadi aise haalat me hua hai aur hamara shaadi aisi kamjor dor se
bandha hua hai ki ye bohat jald tutne wala hai ye shaadi nahi hamara majburi tha
khair fir bhi Priya jab tak mere saath hai main hamesha uska saath dunga iss
baar Sameer ne bhi dhire se izzat ke saath Priya ki papa ko emotions ko
samajhte hue kaha ye divorce ke baat sun kar waha maujud sabhi ko ghabrahat
hone laga Priya ke papa ko bhi abb dar lagne laga wo ek baar fir sochne lage ki
unhone Sameer ki aankho me Priya ke liye jo chaahat dekha tha wo sach hai ya
jhuth Sameer ki baat se lag raha tha ki ye divorce hokar hi rahega abb wo yahi
dua karne lage ki jo Sameer ne kaha hai wo kabhi na ho kuch der ki khaamoshi
ko tod kar Priya ke papa ne kaha
P dad:- koi baat nahi agar ye divorce tum dono ke hi marji se ho raha hai to isme
main kya keh sakta hun tumhari baaton se sukoon mila ki jab tak wo tumhare
ghar me hai usse koi taklif nahi hoga Priya ki papa ki iss baat ke baad kisi ne
kuch nahi kaha fir se khaamoshi ko tod kar Sameer ne kaha
Sameer:- accha uncle abb ham chalte hai Priya ki papa ne haa me sar hila diya
aur Priya ki taraf dekh kar kaha
P dad:- acche se rehna beti udhar aur kabhi kabhi hamse milne bhi aa jaana
Priya ne apni papa ki isa baat par haa me sar hila diya uske baad Sameer aur
Priya ne Priya ke maa aur papa ke pair chhua aur apne bike se nikal gaye bike
me bhi dono ke bich khaamoshi chaa gaya dono apne apne soch me kho gaye
the Priya ko thoda sa dar bhi lag raha tha ye divorce ki baat sun kar lekin usse
vishwas tha ki Sameer uska hi hai apne pyar par usko pura viahwas tha dusri
taraf Sameer bhi apne jindagi me aa rahe tufaan ke baare me soch raha tha
aage kya hoga aur aage kya karna hoga bas yahi baato ko hi wo soche jaa raha
tha kareeb 15 km bike chalane ke baad Sameer ne bike ko ek ped (tree) ke
niche rok diya achanak se bike rukne ki wajah se hairan ho kar Priya ne pucha
Priya:- kya hua bike kyu rok diya?
Sameer:- abhi dimaag kaam nahi kar raha hai kya karu kuch samajh me nahi aa
raha hai bike aisi haalat me nahi chala sakta hun kabhi bhi accident ho sakta hai
Sameer ki baato se hi lag raha tha ki wo kitna uljha hua hai Priya ne bhi Sameer
ke haalat ko samajh liya aur kaha
Priya:- papa ki baat ko dimaag se nikal do ham dono ka rishta ka faisla to pehle
ho hi chuka hai divorce ke liye bhi maine hi tumse kaha tha main hi chaahti thi ki
ye divorce ho jaaye air hokar hi rahega iss baare me jyada mat socho aur
muskurana bhi sikh lo Priya ne apni aakhiri baat kuch iss tarah se kaha ki
Sameer bhi muskuraya Priya ko abhi apna divorce se jyada Sameer ki fikar tha
usne pehle hi dekh liya tha Sameer kis hadd tak pareshan ho sakta hai wo abhi
divorce ki baat ko bhula kar Sameer ke saath acche se pyar bhare pal bitaana
chaahti thi
Sameer:- sach me tum chaahti ho ki ye divorce ho jaaye Sameer ne puch to liya
Priya se lekin puchne ke baad pata chala ki usne kya pucha hai lekin ye samajh
nahi aaya ki kyu puccha hai Priya ne Sameer ka uss sawal puchte wakt Sameer
ki chehre ki udaasi dekh liya tha lekin usne apne khushi par kaabu karte hue
jawaab diya
Priya:- han lekin tum ye kyu puch rahe ho Priya ne bhi Sameer ka haalat ka maja
lena chaaha
Sameer:- nahi waise hi puch liya
Sameer ne kisi tarah jawab diya
Priya:- agar main nahi kehti to? Priya ka iss sawal se Sameer ekdam se hadbada
gaya usse kuch samajh me nahi aa raha tha ki Priya ko kya jawaab de kuch der
baad fir usne Priya ko jawaab diya
Sameer:- to main soch me pad jaata
Priya:- kaisa soch? Priya Sameer ki haalat ka maja lete jaa rahi thi aur usne ye
bhi mehsus kiya ki Sameer abb apna tension bhula raha hai
Sameer:- yahi ki mujhe kya karna chaahiye uss wakt
Priya:- lekin tum to abhi se soch me pad gaye ho maine pucha tha ki agar main
naa kehti to tum kya karte maine naa to nahi kaha na bhul jao ye saari baatein
aur aage ka socho itna keh kar Priya muskuraane lagi Sameer ko sukoon mila ki
wo Priya se bach gaya kuch der ki chuppi ke baad Priya ne fir Sameer se pucha
Priya:- aage ka kya socha hai?
Sameer:- kuch nahi divorce tak jaisa bhi chalta rahega chalne deta hun uske
baad aage ka sochunga
Priya:- arre buddhu main divorce ki baat nahi kar rahi thi main tumhare office ke
baare me puch rahi thi wohi office me kaam karoge ya kisi dusre me?
Sameer:- main uss office me job kaha kar raha hun bas time pass ke liye jaata
hun aur abhi ye divorce tak koi bhi job nahi karunga kuch wakt apne present ke
baare me sochunga agar future ke baare me aise hi soch kar pareshan hota raha
to sach me ek din paagal ho jaaunga abhi present ko hi enjoy karunga kuch aise
hi baat karne ke baad Sameer aur Priya dono ka mood fresh ho gaya dono fir
bike se chal pade apna ghar ki taraf raashte me bhi dono ma hansi majaak aise
hi chalta raha aur yahi hansi majaak me dono ko pata bhi nahi chala ki kab wo
ghar pahunch gaye ghar pahunchne ke baad dono ko ehsas hua ki dono ko fir se
alag kamre me rehna hoga Priya ko ye sochte hi bechaini hone laga ki abb fir se
Sameer uski najaron se dur ho jaayega aur wo akeli bore ho jaayegi Sameer ko
bhi ye baat sochne ke baad thoda ajeeb laga ye 2 hafte me Sameer ko bhi abb
Priya ka maujudgi ka aadat pad gaya tha Priya ke ghar me to majburi bhi tha
unka saath rehna lekin yaha wo majburi nahi tha Priya bhi usse alag hi rehna
chaahti thi issi khayal ke saath Sameer ne apne ghar me bike parking kiya
Sameer aur Priya dono bike se utre hi the ki Sameer ka mobile me mesaage ka
ringtone baja message padhne ke baad Sameer ka chehre ka bhaaw badal gaya
uska chehre me dhire dhire gussa ka bhaaw aane laga Priya ne Sameer se
wajah pucha to Sameer ne apna mobile Priya ki haath me de diya Priya ne
mobile me dekha message Shruti ka tha usme likha tha ki aaj wapas ghar aa
gaye aur mujhe ye baat bataana bhi thik nahi samjha aisa kya hai Priya me jo
abb tum mujhe puri tarah se ignore kar ke uske taraf kheenchte chale jaa rahe
ho lagta hai abb mujh par se tumhara interest khatam hota jaa raha hai tum bhi
baaki ki tarah dhokhebaaz hi nikle Sameer Priya ne jaise hi ye message padha
uske kaano me Sameer ka gusse se bhara aawaj aane laga
Sameer:- pata nahi kya chaahti hai ye ladki mujhse pyar karti hai ya mujhe apna
pair ka dhul samajhti hai abb main sab kuch bhul kar iske piche hi ghumta rahu
bohat baar kaha ki gaanw me network bohat mushkil se aata hai lekin uske
dimaag me to bhusa bhara hai aur main itna uljha hua hun fir bhi aur pareshaan
karti jaa rahi hai uljhan me usko bhul gaya to ek choti si baat ka itna bada issue
bana rahi hai kabhi haal acche se pucchti bhi nahi upar se aur torture karti hai ki
abb main usse pyar nahi karta hun pehle hi keh diya tha ki main usse pyar nahi
karta aur ye shaadi sabhi ki khushi ke liye kar raha hun lekin wo samajhti hi nahi
hamesha piche padi rehti hai abb isko kisne bata diya ki ham aaj ghar aaye hai
aur ek choti si baat ka kya matlab nikaal liya bohat bardaast kar liya abb acche
se ek baar usse baat kar hi leta hun itna keh kar Sameer ne Priya ka haath se
mobile lekar Shruti ka number dial kiya aur mobile ko apne kaan se laga liya
dusri taraf Priya Sameer ka gussa hi dekhti reh gayi Shruti ne 2 hi ring tone me
phone utha liya wo kuch bolti usse pehle hi Sameer ne apne dil ka bhadaas aur
gussa nikaal diya Sameer ki baat sun kar uske side me khadi Priya bhi hairan
ho gayi thi usne Sameer ko itna gussa pehle kabhi nahi dekha tha karib 15
minute baat kiya Sameer ne Shruti se ye 15 minute me Shruti ne bas chaar ya
paanch baar hi boli baaki ke wakt Sameer ne apna gussa nikaalne me laga diya
15 minute ki baat cheet ke baad Sameer ne phone rakh diya aur Priya ko dekha
Priya ki hairan aur dara hua chehra dekh wo samajh gaya ki iska wajah kya hai
usne apna chehra ghuma liya aur 2 second ke liye aankhe band karke khola wo
apne gussa par kaabu karne ki koshish karne laga iss baar usne Priya ki taraf
nahi dekha lekin apna baat kehna chalu kar diya
Sameer:- sorry jyada hi gussa ho gaya tha Sameer ne apna gussa par kaabu
karte hue kaha
Priya:- itna gussa Priya hairan ho kar boli aaj Sameer ka jo roop tha gusse me
isse wo bhi dar gayi thi usse pata tha ki Sameer uss par gussa nahi hai lekin
Sameer ki jordaar cheekh aur laal chehra aur aankho me fule hue laal nasha ye
sab dekh kar wo bohat dar gayi thi
Sameer:- kya karu yaar sehne ki bhi ek hadd hota hai wo mere baare me na
jaane kya kya bakwaas karti jaa rahi thi pehle hi mood kharab aur upar se uski
bakwas baatein ek baat mujhse bilkul bardaast nahi hota aur wo hai mere
character par ungli karna agar mera koi galti hai to koi kuch bhi bole to main
gusse ka ghunt pee kar sun leta hun lekin yaha mera koi galti hi nahi hai to kaise
bardast kar lu self respect bhi koi cheej hota hai bohat din se khud par kaabu
rakh raha tha lekin aaj to hadd hi ho gaya ye uska decision tha mujhse shaadi
karna mera nahi dost samajh kar uski bohat baatein sun liya maan liya lekin abb
to hadd ho gaya abb to wo doati ka faaida utha kar mujh par apna hak jamane
lagi hai kisi bhi cheej ka ek hadd hota hai aur wo saari hadd paar kar rahi hai be
wajah mere aur tumhaare character par ungli utha rahi thi abb kuch bhi bolne se
pehle jarur ek baar sochegi kal usse milne ke liye bulaya hai dekhta hun wo kya
chaahti hai aur achanak se aise behave kyu kar rahi hai bohat jaruri ho gaya hai
usse aamne saamne baat karna itna keh kar Sameer chup ho gaya uska gussa
abhi bhi shaant nahi hua tha Priya samajh gayi ki Sameer ko kuch der ke liye
akela chhod dena hi thik rahega pehle se hi uska mood kharab tha abb usse rest
ki jarurat tha pehle din bhar ka thakaan aur abb gusse se mood off Sameer
sharirik aur maanasik roop dono se thak gaya tha Sameer bhi bina kuch bole
apne room me chala gaya aur Priya bhi apne room me chali gayi Sameer jaaye
hi bed par lait gaya thakaan ki wajah se usse jaldi hi neend aa gaya Sameer
karib 3 ya 4 ghanta tak sota raha dusri taraf Priya bhi room me jaane ke baad
Sameer ka gussa aur Shruti ke baare me sochne lagi sochte sochte wo iss soch
me pahunchi ki abb wo Sameer ko Shruti ke baare me jyada soch kar pareshaan
nahi hone degi aur Shruti ke baare me Priya ne jyada nahi socha usse yakin tha
ki jaldi hi Shruti ki assliyat Sameer ke saamn aa hi jaayega Sameer laghbhag 4
ghanta sota raha utth kar fresh hone ke baad usse sab Shruti se phone me hui
saari baatein yaad aa gaya lekin usne iss baare me jyada nahi socha wo abb fir
se iss baare me soch kar apna mood kharab karna nahi chaahta tha fresh hone
ke baad usne ghadi me time dekha uss wakt 9:30 pm ho raha tha wo utth kar
Priya ke room ke samne gaya aur gate knock kiya Priya bhi jaag gayi thi aur
usne gate khola
Sameer:- safar se bohat thak gaya tha aur so kar bhi abhi utha abb bhukh bhi lag
raha hai chalo kuch khaate hai Sameer ne normal aawaj me kaha Priya bhi fresh
ho kar Sameer ke saath nich dining room me chala gayi khaane ke liye niche
dining room me pahunch kar Sameer ne dekha ki uske papa aur maa pehle hi
waha maujood hai Sameer aur Priya bina kuch bole apni jagah par chale gaye
Sameer ke maa aur papa usse kuch puchte usse pehle hi Sameer ne kaha
Sameer:- sorry aaj aa raha hun ye baat aap dono ko bata nahi paaya raaste bhar
network problem tha Sameer ne dheemi aawaj me kaha
Mr Sharma:- main bhi dekh raha hun shaam me 5:00 pm me tum dono ghar aaye
the aur bina kuch bole apne kamre me chale gaye aisa kaun sa kaam tha ki
hame mile bina hi apne kamre me chale gaye Mr Sharma ne bohat gusse me
kaha Sameer ko abb apne papa se dar bhi lagne laga tha wo kuch bolta isse
pehle hi Priya ne keh diya
Priya:- uncle ham safar se thak gaye the issi liye chale gaye the room me
Sameer kisi se baat karne ki haalat me nahi tha uss wakt uski koi galti nahi tha
lekin aap dono se bina mile hi chale gaye ye hamara galti hai Priya ne thoda dar
kar aur izzat ke saath Mr Sharma se kaha Priya ki iss baat ne sabhi ko chaunka
diya khaas kar Sameer ke maa aur papa ko Priya ka Sameer ka saath dene se
dono hi hairan the yaha tak ki Sameer bhi hairan ho gaya tha usne socha nahi
tha ki Priya uske maa aur papa ko ye keh sakti hai thodi der ke khaamoshi
ko tod kar Mr Sharma ne kaha
Mr Sharma:- koi baat nahi agar ye baat tabhi keh dete to aur accha rehta abb
ham room me jaa kar pucch to nahi puch sakte ki wajah kya hai Mr Sharma ka
gussa Priya ki baato se bohat kam ho gaya tha pehle to unhe Sameer par bohat
gussa aa raha tha apne maa aur papa ko ignore karne ke liye lekin Priya ki baat
aur wajah jaan kar gussa ko control karte hue unhone kaha
Sameer:- sorry papa Sameer ne itna hi kaha tha ki Mr Sharma ne usse rok kar
kaha
Mr Sharma:- abb iss baare me koi baat nahi abhi thake hue ho tum dono khana
khaao aur jaa kar rest karo Mr Sharma ne thoda shakhti ke saath kaha unka ye
kehne ke baad kisi ne kuch nahi kaha sabhi shaanti se khane lage lemin Priya ki
kuch der pehle jo kaha tha wo abhi tak Sameer ke maa aur papa acche se
samajh nahi paaye the dono hi khaana khaate hue Sameer aur Priya ko dekh
rahe the unhone dekha ki Sameer aur Priya dono hi ek dusre ko kabhi ka hi chor
najaro se dekh rahe hai unhe iss maamle ke baare me kuch kuch baatein to pata
chal gaya aur dono ne ek dusre se aankho se hi baat kiya aur puccha ki kya wo
jo dekh rahe hai wo sach hai? dinner ke wakt Sameer ke maa aur papa dono ne
hi Sameer aur Priya ka khaamosh prem kahani ko dekha aur unhe dono ke
baare me bohat kuch pata chal gaya Mr Sharma ne soch liya ki abb wo Sameer
se kuch dino me ek baar acche se baat karenge abhi tak unhone Sameer se
baat karne ke liye khud ko rok rakha tha lekin unhe laga ki abb wakt aa gaya hai
unhe Sameer se baat karne ka Sameer aur Priya dinner karke apne room me
chale gaye iss baat se anjaan ki mr aur Mrs Sharma ko unke baare me bohat
kuch pata chal gaya hai Sameer aur Priya apne room me jaa kar lait gaye dono
hi shaam ke wakt so gaye the to dono me se kisi ko bhi abhi neend nahi lag raha
tha kuch der laite rehne ke baad wo bed par apne karwat badalte rahe dono ko
aaj ek dusre ki kami mehsus ho raha tha dono ek dusre se baat karna chaahte
the lekin alag room me hone ki wajah se kar nahi paa rahe the kuch der tak dono
aise hi bechain rahe jab Sameer se bardaast nahi hua to wo chhat me chala
gaya iss umeed se ki Priya bhi uske piche piche aayegi uska ye umeed sach me
badal gaya Sameer ka pair ki aawaj sun kar Priya bhi kuch der baad chhat me
pahunchi Priya jab chhat me pahunchi to usne dekha ki Sameer chhat ke ek
kone me baitha tha wo niche ki taraf dekhte hue khada tha Priya chal kar uske
paas pahunch gayi Sameer ko bhi Priya ki kadmo ke aawaj se pata chal gaya ki
Priya uske piche aa rahi hai ye ehsas hone ke baad usne piche mud kar Priya ko
ek smile ke saath dekha lekin kuch bola nahi Priya ne bhi Sameer ka smile ka
jawaab muskura kar diya aur pucha
Priya:- abhi tak soye nahi
Sameer:- neend nahi lag raha hai
Priya:- kiski yaado me? Priya ne muskura kar pucha lekin Sameer achanak iss
sawal se hadbada gaya bohat jald usne khud ko sambhal liya aur kaha
Sameer:- nahi aisi koi baat nahi shaam me bohat soya issi liye abhi neend nahi
aa raha tha
Priya:- sach mein lekin tumhaari baato se to aisa nahi lag raha hai Priya ne
Sameer ki haalat par muskuraate hue pucha Sameer bhi abb kuch hadd tak
sambhal gaya tha
Sameer:- meri baat aur shakal par mat jao wakt aur haalat ke saath saath
badalta rehta hai
Priya:- girgit ki tarah ye kehte hue Priya thoda aur tej hasne hai Sameer ko to
suru me baat bilkul bhi samajh me nahi aaya lekin jab baat ko samjha aur Priya
ka hansi dekha to wo bhi hasne lagi
Sameer:- nahi insaano ki tarah Sameer ko bhi iss majaak me abb majaa aane
laga tha
Priya:- ye hansi majaak me bhul hi gayi kiski yaado me tumhaara neend gaayab
ho gaya tumhara kahi wo Shruti to nahi Priya ne fir se wohi baat chhed diya
Shruti ka naam Priya lena to nahi chaahti thi lekin fir bhi Sameer ka reaction
dekhne ke liye usne le liya
Sameer:- kisi ki yaado me nahi Shruti ki yaadon me to bilkul bhi nahi filhaal to
uske baare me kuch sochna bhi nahi chaahta hun itna keh kar Sameer chup ho
gaya Sameer ne bohat hi gusse me kaha Shruti ka naam se uska mood off ho
gaya Priya ko bhi afsos hua apni baat par kaha wo Sameer ka Shruti ke prati
soch dekhna chaahti thi aur kaha usne Sameer ka mood off kar diya usse bhi
samajh me nahi aaya ki usse kya karna chaahiye wo bhi chup ho gayi kuch der
baad Sameer ko bhi ehsas ho gaya ki wo bekar me hi itna gussa ho gaya hai
usse bhi mehsus hua ki uska gussa ne hansi aur majaak ke maahaul ko khatam
kar diya usne apne mood ko fir se thik karte hue kaha
Sameer:- waise bhi abhi tak aisa koi mila nahi jo mera dil chura sake ya yun
kaho ki uski yaado me main kho jaau bohat hi sakht ladka hun pyar naam ka rog
mujhe chhu bhi nahi sakta Sameer ne fir se pehle ka jaise maahaul banate hue
kaha Priya Sameer ki baat se bohat khush ho gayi ki Sameer ne fir se baat karna
suru kar diya Priya ne bhi Sameer ke hi andaaj me kaha
Priya:- sakht ladka hi prem jaal me aasani se fas jaate hai Mr Sameer abhi to
dawe ke saath keh rahe ho ki tumhe pyar nahi hoga lekin dekhna bohat jald tum
bhi iss jaal me fas jaoge Priya ne bhi confident ke saath kaha
Sameer:- tumhaari baato me mujhe bilkul bhi sachaayi najar nahi aa raha hai
lekin dekhte hai kaun hai wo ladki jiski prem jaal me mujh jaisa innocent ladka
fasta hai Sameer ki baat sunne ke baad Priya ne apne mann me kaha
Priya:- (in her mind) wo ladki tumhare saamne hai Sameer dekhna bohat jald
tumhe bhi mujhse pyar ho hi jaayega mujhe pata chal gaya hai ki tum bhi mujhse
pyar karne lage ho aur bohat jald tum khud mujhse ye baat kahoge Priya ko
apne soch me dekh kar Sameer ne kaha
Sameer:- kya hua kya soch rahi ho? Sameer ki iss baat se Priya apne sunhere
khwaab se baahar aayi
Priya:- kuch nahi itna kehne ke baad dono ke bich kuch der ke liye khaamoshi
chha jaata hai aur iss khaamoshi ko tod kar Priya kehti hai
Priya:- tum abhi tak soye nahi kal office jaane ka program nahi hai kya Priya ne
thoda hairani ke saath pucha
Sameer:- nahi
Priya:- kyu
Sameer:- kal jaane ka mood nahi hai ek do din office nahi jaaunga kal Shruti se
bhi milne jaana hai ek do din me acche se fresh ho jaaunga uske baad aage ka
sochunga
Priya ko Sameer ka Shruti se milne jaane ki baat accha nahi laga lekin iss baare
me usne kuch nahi kaha aur filhaal kuch keh bhi nahi sakti thi fir se ek baar dono
ke bich khaamoshi chaa gaya iss khaamoshi ke dauran Sameer Priya ko dekhta
raha Priya ne bhi iss baat ko notice kiya Sameer kuch der tak aise hi dekhta raha
jab Priya se raha nahi gaya tab usne pucha
Priya:- kya dekh rahe ho
Sameer:- sach me tumse baat karne me bohat accha lagne laga hai bohat hi
acchi baatein karti ho tum yahi dekh raha tha ki kitna bada galti kar diya maine
tumse college ki pehle din hi ladaayi karke uss wakt ek acche dost ko kho diya
maine Sameer ne thoda afsos ke saath kaha
Priya:- lekin ham dost kab bane Priya ne aisa dikhaana chaaha ki Sameer ne
galat baat keh diya hai
Sameer:- jis din tumse baatein karna accha laga ussi din se tumhe apna dost
maan liya maine tumhe apna dost maan liya hai abb ye tum par depend karta hai
ki tum mujhe apna dost maanti ho ya nahi Sameer ne ek dam simple tarike se
kaha
Priya:- main bhi tumhe apna dost maanti hun Priya ne bhi Sameer ka dosti ka
proposal accept kar liya
Sameer:- main jaanta hun
Priya:- kaise
Sameer:- itna to akal hai mujh me ki saamne walo ke chehra dekh kar thoda
bohat samajh jaau ki wo mere baare me kya sochta hai Sameer ne muskura kar
jawaab diya Sameer ka ye kehne ke baad kuch pal ke liye fir se ek khaamoshi
chha gaya aur isse tod kar fir Sameer ne kaha
Sameer:- tum mere sacche dosto me se ek ho Sameer ki ye baat sun kar Priya
bohat khush hui aur boli
Priya:- itni jaldi saccha dost bhi maan liya Priya ki aawaj me hairaani aur khushi
dono tha
Sameer:- dosti apne aap ho jaata hai aur tum to mera wo dost ho jisne mera
mushibat me bhi saath diya apna dushmani bhula kar tumne mera saath diya tha
aur mujhe mera mushkilon se baahar nikala tha sach me tumhaari dosti ka koi
jawaab nahi tumhe dekh kar mujhe khud se hi nafrat hone lagta hai ki kitna galat
kiya maine tumhaare saath Sameer ne thoda aatmaglaani ke saath kaha Priya
ko accha nahi lag raha tha ki Sameer fir apne bhool ke baare me soch kar
pareshan ho raha hai
Priya:- abb jo ho gaya wo ho gaya tumhe apne bhool ka ehsas hua aur tumne
iske liye dil se maafi maanga wo hi bohat hai abb ye baatein bhul jao aur aisa
aage na ho iss baat pe dhyan do
Sameer:- aage se kabhi aisa karna to dur karne ka sochunga bhi nahi bas ek
request hai tumse Priya ne Sameer ka iss baat ka koi jawaab nahi diya usne
Sameer se aankho ki ishaaro se hi pucha
Sameer:- sache dosto ki kami bohat khal raha hai mujhe mera mushibat ke wakt
me bas Rajesh Mahesh aur tumne mera madad kiya main tumse bas itna kehna
chaahta hun ki kabhi ye dosti todna mat Sameer ne request karke kaha usse
pata hi nahi chala ki usne Priya se ye baatein kaise keh diya khud ba khud uske
dil se ye aawaj nikla
Priya:- dosti kiya hai to usse nibhaaungi bhi hamara ye dosti kabhi nahi tutega
Priya ne bhi Sameer ko yakin dilaate hue kaha iske baad Sameer aur Priya ke
bich aise hi baatein kuch der hua jab Priya ko neend aane laga to wo niche sone
chali gayi Sameer se aaj baat karke wo bohat hi khush thi Sameer bhi Priya ko
jaate hue piche se dekh raha tha aur muskura kar khud se hi kehne laga
Sameer:- (in his mind) sach me jaadu hai Priya ki baato me aisi baat karti hai ki
lagta hai ki usse baat karta hi jaau kabhi hamaara baat khatam hi na ho Sameer
ke dil me ye chhoti si baat cheet bhi abb muskaan aur pyar ka roop lene laga tha
wo apne dil ki haal se anjaan tha aur uska dil usse hi dhokha dene laga tha
Sameer ye sab soch hi raha tha ki uske mobile me phone aaya phone me dekha
to Rajesh ka call tha Sameer ne turant phone utha liya
Sameer:- han bol yaar
Rajesh:- gaanw se aa gaya aur mujhse ek baar baat bhi nahi kiya Rajesh ne
thoda gusse me kaha
Sameer:- thoda busy tha yaar issi liye bata nahi paaya
Rajesh:- kal tujhse milna hai
Sameer:- kya baat hai sab thik to hai na Sameer ne thoda chinta ke saath pucha
Rajesh:- han sab thik hai ek jaruri baat hai jo kal mil kar hi karenge
Sameer:- ok thik hai sms kar de mujhe kaha milna hai time me pahunch jaaunga
itna keh kar Sameer ne call cut kar diya aur niche sone chala gaya dusri din
Sameer subah 7:00 am me utha aur fresh ho kar Rajesh se milne chala gaya
Rajesh ne Sameer ko ek cafe me bulaya tha jab Sameer cafe me Rajesh ke
paas pahuncha to usne dekha ki Rajesh phone me kisi ke saath baat kar raha
hai Rajesh ka peeth (back) Sameer ki taraf tha to Rajesh ko pata nahi chala ki
Sameer uske paas aa gaya hai Sameer ne bhi Rajesh ko disturb kiye bina usko
baat karne diya Rajesh befikar kisi se phone me baat kar raha tha baato ke
dauran usne aisi baat keh diya jisse sun kar Sameer hairan ho gaya aur usse
gussa bhi aane laga jab tak Rajesh phone karta raha tab tak Sameer ne kuch
nahi kaha wo Rajesh ko thoda hairani aur gussa ke saath ghurta raha jab Rajesh
ne phone par baat khatam kiya aur piche gate ki taraf mud kar Sameer ko
dekhne ke liye muda to Sameer ko pehle se waha maujud dekh kar ek dam se
chaunk gaya Sameer ko apni taraf gusse me ghurta hua paa kar Rajesh ko kuch
samajh me nahi aaya aur usne haklaate hue pucha
Rajesh:- kkab aaya tu aur aise kkyu dekh raha hai?
Sameer:- ye jaan kis ko bol raha tha tu?
Sameer ne kuch der Rajesh ko dekhne ke baad pucha
Rajesh:- Divya ko Rajesh ne bhi ek dam se jawaab diya aur jawaab dene ke
baad usse pata chala ki usne kya kaha hai Rajesh ke jawaab se Sameer ek dum
se chaunk gaya aur usne bhi hairani me pucha
Sameer:- kya kab aur kaise? Sameer ko bilkul bhi yakin nahi ho raha tha Rajesh
Divya ko phone par jaan keh kar bula raha tha usse to Rajesh par iss liye gussa
aa raha tha ki Rajesh kisi se phone me hanste hue jaan keh kar baat kar raha
tha
Rajesh:- kya puch raha hai yaar tu acche se puch khud bhi confuse ho raha hai
aur mujhe bhi jar raha hai Rajesh ne confuse ho kar kaha Sameer ki baatein
usse bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha
Sameer:- tu Divya ko jaan keh raha tha ye baat samajh gaya lekin kabse aur wo
kaise maan gayi ye baat samajh me nahi aa raha hai jaise hi Sameer ne apna
baat khatam kiya Rajesh ne usse thoda gussa me dekh kar bola
Rajesh:- kya matlab hai kaise maan gayi wo wo bhi mujhse pyar karti hai aur tu
to aise puch raha hai jaise tujhe hairaani ho raha hai ki Divya mujhse pyar karti
hai
Sameer:- han hairaani ka baat to hai hi Sameer ne iss baar muskura kar kaha wo
samajh gaya tha ki Rajesh sach keh raha hai abb wo Rajesh ka thoda taang
kheenchna chaahta tha
Rajesh:- aur isme hairaani wali kya baat hai? Rajesh ne chhidhte hue jawaab
diya
Sameer:- wo to tujhe hi pata hona chaahiye Sameer ki muskaan Rajesh ko aur
chhidha raha tha
Rajesh:- kya pata hona chaahiye bey? aur tu hasna band kar iss baar Rajesh ne
bohat gusse me kaha
Sameer:- tujhme Divya ne aisa kya dekh liya jo wo tujhse pyar kar baithi tabhi se
yahi soch raha hun ki aakhir Divya ne tujhse kaise pyar kar liya Sameer ne
Rajesh ka aur majaak udaate hue kaha iss baar Rajesh sach me bhadak gaya
wo gusse me Sameer ki taraf badh hi raha tha tab Sameer ko ehsas hua ki ye
majaak shaayad jyada ho gaya Rajesh Sameer ke paas aaya aur usne Sameer
ka collar pakad liya Sameer bhi apni jagah se uttha aur shaant aawaj me kaha
Sameer:- shaant ho ja bhai majaak kar raha tha itna keh kar Sameer ne Rajesh
ki aankho me dekha Rajesh ka aankh gussa se laal ho gaya tha usne Sameer ka
collar chhod diya aur apni jagah jaake baith gaya
Rajesh:- aisi bakwas majaak kabhi mat karna Sameer ne uski baat ka jawaab
diye bina waiter ko aawaj de kar ek pepsi mangaya cafe me jyada log to nahi the
lekin jo bhi the unki najar Sameer aur Rajesh ki taraf hi tha lekin Sameer aur
Rajesh ko iss baat se koi matlab nahi tha 2 min me pepsi aa gaya Sameer ne
pepsi ka bottle Rajesh ko dekar kaha
Sameer:- pehle pepsi pee aur shaant ho jaa Sameer ki aawaj me koi bhaaw nahi
tha Rajesh ne bhi kuch kahe bina pee liya kareeb 5 minute ki khaamoshi tod kar
Sameer ne kaha
Sameer:- abb gussa shaant ho gaya? Rajesh ne bhi han me sar hila diya iske
baad Sameer thoda gussa aur naraaj hokar bola
Sameer:- itna gussa
Rajesh:- baat hi tune aisa kiya tha Rajesh ne bhi naraajgi me jawaab diya
Sameer:- accha aisa kya keh diya tha maine
Rajesh:- mera pyar ka majaak udaa raha tha
Sameer:- sach kehte hai log pyar hone ke baad log badal jaate hai jab tu Divya
se mila bhi nahi tha tab main tera kitna majaak udaata tha tu bhi mera majaak
udaata tha lekin uss wakt to tu kabhi naraaj nahi hota tha aaj thoda majaak kya
kar diya tu to ladaai karne hi aa gaya Sameer ke baat sunne ke baad Rajesh ko
bhi laga ki shayad usne hi over react kiya hai lekin maahaul aisa ban gaya tha ki
wo aisa karne par majbur ho gaya tha
Rajesh:- shayad tu thik keh raha hai yaar kuch jyada hi gussa ho gaya tha lekin
main bhi kya karu tu mera pyar ka majaak udaa raha tha jo mujhse bardast nahi
hua
Sameer:- matlab pyar mil jaane ke baad hamara dosti khatam Sameer ne iss
baar naraajgi ka naatak karte hue kaha
Rajesh:- naraaj hai kya Rajesh ne thoda paschataap me kaha
Sameer:- nahi yaar lekin thoda ajeeb jarur laga Sameer ne abb sidha baat kiya
Rajesh se
Rajesh:- kya karu yaar jab koi mera pyar ke baare me majaak udaata hai to bilkul
bhi bardast nahi hota
Sameer:- koi baat nahi yaar hota hai aisa naya naya pyar hai tera main to thoda
majaak kar raha tha shayad kuch jyada hi kar diya Sameer ne fir muskura kar
kaha Rajesh ne iss baare me kuch nahi kaha
Sameer:- abb tera pyar bhi do tarfa ho hi gaya tujhe tera pyar mil hi gaya iske
liye bohat bohat badhaayi aage ka tere jindagi ke liye saath me shubh
kaamnaayein bhi Sameer ne muskura kar hi Rajesh ko dua diya
Rajesh:- thanks yaar yahi baat pehle nahi keh sakta tha
Sameer:- dost hun tera koi dur ka ristedaar nahi badhaayi aur shubhkaamna
dunga to apne andaaj me
Rajesh:- kya baat hai aaj bohat dino baad itna khul kar hans raha hai Rajesh ne
abb jaakar mehsus kiya ki Sameer aaj bohat khush hai bohat dino baad usne
Sameer ke chehre me muskaan dekha tha
Sameer:- wo isa liye kyu ki Priya ne mujhe maaf kar diya
Rajesh:- kya chaunkte hue Rajesh ki mouh se ye baat nikla
Sameer:- han yaar Priya ne mujhe maaf kar diya aur aisa lag raha hai ki dil se
koi bohat bada bojh utar gaya hai abb bohat khush hun
Rajesh:- matlab teri jindagi bhi waapas patri me aa gaya tere liye bhi bohat
khush hun Sameer ne iss baat ka jawab muskura kar diya Sameer ko achanak hi
kuch yaad aaya aur usne pucha
Sameer:- tune to bataya bhi nahi Divya ko kab aur kaise propose kiya
Rajesh:- oh shit jis baare me baat karne ke liye bulaya tha wohi bhul gaya kuch
khaas kahani nahi hai jis din tu Priya ke saath gaya tha yaha se Divya ne kisi
kaam se mujhe bulaya mujhe maine bhi help kar diya iske bahane akele me
thoda time spend hota raha 5 ya 6 din tak issi bahane milte rahe aur ek dusre se
baat karne ka mauka bhi milta raha jab bhi main usse milta tha sochta tha ki abhi
apni dil ki baat bata du lekin himmat nahi kar paata tha parso raat ko maine kisi
tarah himmat jutaya aur Divya ko park me bula kar apna dil ka haal bata diya
pyar to wo bhi mujhse bohat pehle se hi karti thi issi liye usne bhi accept kar liya
itna keh kar Rajesh chup ho gaya uske hontho me abhi bhi uss ghatna ko yaad
karke ek pyara sa muskaan reh gaya
Sameer:- jitna socha tha usse bhi fast nikla tu main to soch raha tha ki tu ek do
saal tak kehne ki himmat bhi nahi kar paayega Sameer ne fir Rajesh ko
chhidhaate hue kaha
Rajesh:- pyar kiya hai sir pyar kuch bhi karne par majbur kar hi deta hai
Sameer:- chhod abb ye baatein main tere liye bohat khush hun yaar bas yahi
chaahta hun ki tera aur Divya ka ye pyar hamesha ke lige aisa hi rahe tum dono
hamesha saath aut khush raho aur ek baat aaj to kuch nahi kaha tujhe lekin agli
baar mere majaak par naraaj hua to pakka peet jaayega doat hun yaar aisi
majaak to chalta hi rehta hai bas itna yaad rakh ki bhale hi tera pyar ka majaak
udaau lekin dil se hamesha dua hi dunga
Rajesh:- jaanta hun yaar tu mera bhalaai hi chaahta hai lekin tabhi dimaag
kharab ho gaya tha jo aisa keh diya bhul jaa yaar uss baat ko aage se duyan
rakhunga
Sameer:- maine dil se nahi liya uss baat ko jaanta hun pareshan ho gaya tha tu
mera baat sun kar pareshani me aur tension me aisa reaction ho hi jaata hai
main bhi pehle tujhse bohat baar naraaj ho chula hun be matlab ki baat par
Sameer ne jaise hi baat khatam kiya Rajesh ko kuch jaruri baat yaad aaya aur
usne kaha
Rajesh:- ek baat to batana bhul hi gaya Rajesh ka chehre ka rang ek dam se
badal gaya aur uske chehre me gusse ki bhaaw aane laga Sameer ko bhi laga ki
jarur koi serious baat hai
Sameer:- kaisi baat?
Rakesh:- please ye Shruti ko bol ki mujhe phone kar ke mera dimaag chaatna
band kare jab tu gaanw gaya tha mujhe phone karke pareshan kar diya har baar
kehti thi ki kisi tarah Sameer ko jaldi se bulaa lu aur tujhe usse baat karne ke liye
kahu broker samjha hai kya mujhe uska pyar hai wo jaane mujhe pareshaan kar
rahi hai wo to tera dost hai issi liye chup raha abb mujhse bardast nahi ho raha
hai tu usse keh de mujhse baat hi mat kare Rajesh ne nafrat aur gussa ke saath
Sameer se kaha Sameer ka bhi mood off ho gaya Rajesh ka baat sun ke
Sameer:- aaj usne subah hi milne ke liye bulaya tha aur main bhul gaya sorry
yaar chalta hun abhi baad me baat karenge itna keh kar Sameer waha se jaldi
me nikal gaya Rajesh ko kuch damajh me hi nahi aaya ki achanak Sameer ko
kya hua achanak Sameer ke chehre me badla hua bhaaw ko usne mehsus kar
liya wo kuch bolta ya puch paata Sameer waha se nikal gaya Sameer bhi jaldi
me apni ghar ki taraf nikal gaya wo paidal hi aaya tha ye cafe uske ghar se kuch
doori par hi tha wo apne ghar pahunch kar bike se Shruti ke ghar jaana chahta
tha wo 5 minute me apne ghar pahunch gaya jab usne apne ghar me kadam
rakha andar ka najaara dekh kar wo buri tarah se chaunk gaya andar Shruti sofa
par baithi thi aur uske side me Mrs Sharma Sameer bhi Shruti ke paas gaya aur
pucha
Sameer:- tum kab aayi?
Shruti:- 10 minute pehle tumhara hi intejar kar rahi thi tum nahi aaye to main hi
chali aayi
Sameer:- Rajesh ne bulaya tha to jaana pada chalo room me baat karte hai
Sameer bina kisi bhaaw ke baat kar raha tha
Shruti:- tumse baad me baat kar lungi filhaal Priya se baat kar lu wo kaha hai
thoda gusse ke saath Shruti ne pucha to Sameer chaunk gaya usse samajh me
nahi aa raha tha ki Shruti Priya se kya aur kyu baat karna chaahti hai
Sameer:- Priya se baat karna chaahti ho lekin kyu? Sameer ki baato me hairaani
tha jo Shruti ne bhi mehsus kiya
Shruti:- kuch private baatein hai akele me baat karna chaahti hun usse thodi der
ke liye tum yahi rehna
itna keh kar Shruti Priya ki room ki taraf chali gayi jitna wo Priya ki room ki karib
pahunchti jaa rahi thi uske chehre ka gussa aur bhi jyada badhta jaa raha tha
Sameer ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha Shruti ka Priya se milne jaane
ki wajah wo wahi sofa par baith gaya aur apne soch me par gaya Priya ke room
ke pass pahunch kar Shruti bohat jor se gate par knock karne lagi gate me knock
itna jor se hua tha ki Priya ko samajh nahi aa raha tha ki gate itna jor se knock
kaun kar raha hai aur kyu hairaani ke saath aage badh kar usne gate khol diya
jaise hi gate par Shruti dikhi ek pal ke liye to wo chaunk gayi lekin agle hi pal
normal hokar boli
Priya:- tum ho Priya ki aawaj me koi bhaaw nahi tha aur chehre ki bhaaw se aisa
lag raha tha ki Shruti ka yaha hona use accha nahi laga
Shruti:- han main hun Shruti ne nafrat ke saath kaha aur bina pucche hi room ke
andar chali gayi Priya ko Shruti ki ye harkat bilkul bhi pasand nahi aaya lekin
usne kuch nahi kaha Shruti jaa kar Priya ke bed me baith gayi Priya bhi uske
paas aa gayi aur boli
Priya:- kyu aayi ho? Priya ne apna gussa daba kar pucha
Shruti:- tujh se baat karne Shruti ka Priya ke liye nafrat uski har ek shabd se pata
chal raha tha
Priya:- wo to pata hai tujhe yaha dekh kar hi samajh gayi thi ye baat lekin kya
baat karne aayi hai Priya ka gussa bhi abb badhne laga tha
Shruti:- tujhe pata nahi hai main kya baat karne aayi hun tujhse Shruti ne gussa
aur nafrat se kaha
Priya:- mujhe teri tarah bakwaas karne ka aadat nahi hai agar pata hota to baat
ko ghuma ke tere saath bakwaas karke time waste nahi karti jaldi bol kya kehne
aayi thi aur nikal yaha se Priya ke liye abb apne gusse par control karna mushkil
hota jaa raha tha pehle se hi usse Shruti par bohat gussa aa raha tha abb uski
bakwas baatein usse sehan nahi ho raha tha
Shruti:- bohat gusse me lag rahi hai mujhse gussa hai kya? Shruti ne Priya ka
gussa ko mehsus kar liya wo usko aur chhidhaati hui boli
Priya:- naraaj to kya hamesha se hi tujhse nafrat hai aur wo main hi nahi job hi
tujhe jaante hai shaayad sabhi tujh se nafrat karte hai abb to Sameer bhi itna keh
kar Priya chup ho gayi aakhiri ki line uske mouh se galti se nikal gaya lekin usse
iss baat kehne par bilkul bhi afsos nahi hua usne sach hi bola tha aur sach bolne
par kaisa afsos?
Shruti:- han yahi baat karne aayi thi main tujhse Shruti ka aawaj ek dam se tej ho
gaya uska chehra bata rahi thi ki wokitna gusse me thi lekin Priya ko uske gusse
se kuch fark nahi pada
Priya:- wo hi to keh rahi hun jaldi bata apni baat aur yaha se nikal Priya ka gussa
bhi kam nahi tha Shruti ko yaha dekh uska mood kharab hota jaa raha tha
Shruti:- bohat bhadka rahi hai na Sameer ko mere khilaaf iss baar Shruti ne
mudde ki baat keh hi diya
Priya:- kya?
thoda hairaani me Priya ki mouh se nikla
Shruti:- sach sun kar shocked ho gayi na tujhe kya laga tu Sameer ko mere
khilaaf bhadkaati jaaegi aur mujhe kuch pata nahi chalega Shruti ki aawaj me
gussa to tha hi lekin iss baar usne muskura kar kaha jaise usse bohat badi baat
pata chal gaya hai Priya bhi abb sab kuch samajh gayi thi Shruti kis bare me
usse baat karne aayi hai usne bhi muskura kar jawaab diya
Priya:- chaahu to main Sameer ko itna bhadka sakti hun ki wo tujhe mud kar
dobara dekhega bhi nahi tera saari asliyat bata sakti hun lekin bataya nahi hai
abb to Sameer mujh par itna bharosha karta hai ki agar kuch badha chadha kar
jhuth bhi bol dungi to wo aankhe band kar ke vishwas kar lega lekin abhi tak
bataya nahi hai itna keh kar Priya chup ho gayi aur Shruti ko dekhne lagi Shruti
kuch pal to chup rahi lekin fir gusse me boli
Shruti:- accha hai ki abhi tak tune kuch nahi bataya aage bhi bataane ka sochna
bhi mat agar tune usse mere bare me kuch bhi bataya to dekh lena anjaam
bohat bura hoga tere liye Shruti ki aawaj me ek dhamki tha andar se wo bhi
bohat dar gayi thi ki agar Priya Sameer ko uske baare me bata degi to kya hoga
usse bhi pata chal gaya tha Sameer aur Priya ke dosti ke bare me Sameer ki
Priya se dosti kar lena aur us par gussa hona ye baat Shruti ko sochne par
majbur kar raha tha
Priya:- dhamki de rahi hai
Shruti:- samajh sakti hai
Priya:- teri iss dhamki se darna to dur main iss bare me sochungi bhi nahi wo to
tujh par ehsan kar rahi hun ki Sameer ko kuch bataya nahi main jaanti hun ki
bohat jald tera sacchaayi Sameer ke saamne aa hi jaayega behtar yahi hoga ki
Sameer ko khud tere bare me pata chale ki tune uske peeth piche kya kiya hai
agar main Sameer ko sab kuch bata dungi to kuchmaja nahi aayega maja to tab
aayega jab Sameerko teri dhokebaazi ke bare me pata chalega thik waisa hi
maja aayega mujhe bhi tera uss wakt ka haalat dekh kar jab tujhe aaya tha mera
shaadi jabardasti karwa kar itna keh kar Priya ne nafrat ke saath Shruti ko dekha
Shruti ko abb bohat dar lagne laga tha Priya ki baaton se abb wo uss pal ko
kosne lagi jab usne choti choti baton par Priya se badla lene ke liye Sameer ka
buri tarike se istemaal kiya tha Sameer ne badla to le liya lekin uske baad Shruti
ke saath sab kuch ulta hona suru ho gaya Sameer aur Priya ka shaadi Sameer
ka dhire dhire badal jaana Priya ka usko attitude dikhaana aur uski bebasi kuch
bhi uske saath accha nahi ho raha tha aur uski majburi bhi thi ki wo kuch bhi nahi
kar sakti hai yahi sab sochte hue Shruti chup hi baithi rahi usse samajh nahi aa
raha tha ki usse kya kehna chaahiye thodi der ke khaamoshi ke baad usne kaha
Shruti:- main jaanti hun tune Sameer ko maaf kar diya hai aur tum dono me dosti
ho gaya hai lekin tu usse dur reh main Sameer se pyar karti hun aur mujhe tera
ham dono ke bich aana pasand nahi hai Shruti ki aawaj me gussa to tha lekin
uski aawaj abb thoda dheemi ho gaya tha Priya ne Shruti ki iss baat sunne ke
baad hanse bina nahi reh saki uski hansi me Shruti ka majaak tha thodi der
hasne ke baad wo boli
Priya:- pyar tu Sameer se shaayad pyar karti hai lekin wo tujh se bilkul bhi pyar
nahi karta ek tarfa pyar kabhi pyar nahi hota madam Priya ki baato me bhi Shruti
ka majaak tha
Shruti:- jaanti hun Sameer mujh se pyar nahi karta hai lekin bohat jald karne
lagega bas tu bich me mat aa Shruti ne chhidh kar jawaab diya
Priya:- main bich me aa rahi hun tune mujhe bich me laaya hai main to apne
jindagi kisi tarah jee rahi thi wo tera hi paagal pan tha mujhse badla ene ka aur
tune hi mujhe bich me ghasit kar laayi hai iss baar Priya ne behad gusse me
jawaab diya Priya ki baato ka jawaab Shruti ke paas nahi tha wo khaamosh hi
baithi rahi wo alag baat tha ki usse Priya ka uske saamne tej aawaj me bolne ki
wajah se bohat gussa aa raha tha lekin wo filhaal kuch kar bhi nahi sakti thi karib
5 minute beet gaya lekin Shruti kuch nahi boli Shruti ko chup baitha dekh Priya
ne hi kaha
Priya:- tu kehti hai tu Sameer se pyar karti hai pyar ka matlab bhi pata hai tujhe
apna mann maani karke pyar jataane ko pyar nahi kehte tera pyar aisa hai jise
dekh Sameer jaisa ladka bhi pacha(digest) nahi paaya tune Sameer se pyar
kabhi kiya hi nahi ye tera junoon hai Sameer ko pane ka jo shaayad hi kabhi pura
ho sake tu khud hi dekh le picchle 1 week me Sameer tere bare me kya sochne
laga hai maine kuch nahi kiya fir bhi Sameer ka tere prati feeings ek dam se
badalne laga hai wo to tujhe apna best friend manta tha lekin abb dhire dhire tum
dono ka dosti ka rishta bhi toot ta jaa raha hai ek din aisa bhi aayega jab Sameer
tera shakal dekhna bhi pasand nahi karega Sameer tera tha lekin tera bewkufi hi
Sameer ko tujh se dur le jaa raha hai Priya aage aur bhi bohat kuch bolne wali thi
ki Shruti ne usse bich me hi chup kara diya Shruti:- bas band kar apni bakwas
thodi der teri bakwas kya sun liya tu to mujhe hi sikhaane lagi pyar kya hota hai
tera gyan nahi chaahiye mujhe main jaanti hun Sameer ko kaise haasil karna hai
Shruti ne Priya ko bich me hi chup kara kar gusse me kaha
Priya:- main tujhe kuch gyan nahi de rahi hun aur nahi kuch samjha rahi hun
tujhse to baat bhi nahi karna chaahti hun main main to bas tujhe teri pyar ki
hakikat dikha rahi thi
Shruti:- abb ye bakwas baatein band kar aur meri baat dhyan se sun tujhe last
warning deti hun ki mere aur Sameer ke bich mat aa
Priya:- teri baat ka kya matlab hai ye to main nahi jaanti lekin itna tub hi sun le ki
abb Sameer mera dost hai aur hamesha rahega teri baat maan kar main usse
kyu ignore karu ya usse duriyan badhaau jo karna hai kar le lekin ye dosti abb
kabhi nahi tutega agar tujhe lagta hai ki Sameer tera ho jaayega to koshish karti
reh main tujhe nahi rokungi lekin ye bhi yaad rakh le ki tu kuch nahi kar paayegi
Priya nebhi Shruti ko uske hi andaaj me jawaab diya
Shruti:- matlab tu nahi maanegi
Priya:- nahi Priya ne bas itna hi kaha tha ki Shruti bed se utth kar khadi ho gayi
usne Priya ko ghur kar dekha aur boli
Shruti:- bohat bura kiya tune meri baat na maan kar dekhti jaa main abb tere
saath kya karti hun itna keh kar Shruti chup chaap room se nikal gayi room se
nikal kar Shruti niche hal me pahunch gayi aur Sameer ke paas jaa kar ruk gayi
Sameer bhi apni jagah se utth gaya aur wo Shruti se kuch kehne hi waala tha ki
Shruti ne hi bol diya
Shruti:- Sameer Priya ko samjha do bohat bolne lagi hai aur mujhse bohat galat
tarike se baat kiya hai usne iska anjaa bilkul bhi accha nahi hoga itna keh kar
Shruti Sameer ka jawaab sune bina hi ghar se baahar jaane lagi
Sameer:- Shruti ruko Sameer ne piche se kaha lekin Shruti ne Sameer ki baat ko
sun kar bhi unsuna kar ke chali gayi Sameer ko Shruti ka ye attitude dekh kar
bohat gussa aa raha tha usne piche baithi maa ki taraf dekh kar bola
Sameer:- maa main Priya se baat karke aata hun Mrs Sharma ne bhi haa me sar
hila diya maa se anumati milne ke baad Sameer bhi Priya ki room ki taraf chala
gaya Sameer ke jaane ke baad Mrs Sharma ke dimaag me bohat saare sawaal
aane lage unhe itna to pata chal hi gaya tha ki Sameer aur Shruti ke bich kuch
bhi thik nahi chal raha hai kal raat bhi unhone Sameer aur Priya ko ek dusre se
chup kar dekhna dekh liya tha Sameer ka Priya ke saath kareebi aur Shruti ke
saath duriya unhe bohat kuch sochne par majbur kar raha tha unhone socha wo
iss bare me Sameer se baad me baat karengi 1 minute bhi nahi laga Sameer ko
Priya ke room me pahunchne me Priya ke room ke saamne pahunch kar
Sameerne gate knock kiya kuch hi der me Priya ne gate khol diya gate khulne ke
baad hi Sameer ne gate me khada ho kar hi Priya se pucha
Sameer:- Shruti ne tumse kya kaha?
Priya:- pehle ye bataao ki usne mere bare me tumse kya kaha? Priya ki aawaj
me abhi bhi gussa tha lekin ye gussa Sameer ke liye nahi tha Sameer ne bhi
usko bata diya Shruti ne usse kya kaha tha uske baad Sameer ne hi kaha
Sameer:- jaanta hun usne hi kuch hangama kiya hoga yaha aa kar aur jaate wakt
tumhare bare me galat bol kar chali gayi abb bataao bhi usne kya kaha tha yaha
aa kar? Priya ne bhi sab kuch bata diya Sameer ko unn dono ke bich hui baat
cheet Priya ki baat sunne ke baad Sameer ko Shruti par aur bhi jyada gussa
aane laga
Sameer:- abb bohat hua ye ladki khud ko kya samajhti hai jo mann me aaye wohi
karti jaa rahi hai usse baat bhi karne ka koshish kiya tha lekin bohat galat attitude
dikhaa kar chali gayi pata nahi kya sochne lagi hai khud ko mujhe ignore karke
gayi hai na dekhta hun kab tak ignore karti hai na hi usse milne jaaunga aur naa
hi phone karunga dekhta hun kab tak wo apna attitude dikhaati hai mujhe bohat
bardaast kar liya uski manmaani lekin abb aur nahi itna keh kar Sameer chup ho
gaya uske chehre me Shruti ke liye gussa aur naarajgi ka bhaaw tha dusri taraf
Priya bohat khush thi usse Sameer ka uss par bina koi sawal iye uske baat par
vishwas karna bohat accha lag raha tha usse yakin hota jaa raha tha ki Sameer
abb uski baato par bohat vishwas karne laga hai Sameer abb Shruti se jyada
Priya par vishwas karne laga tha ye baat Priya ke liye kisi khushi se kam nahi tha
Priya ka pyar ka asar Sameer par badhta hi jaa raha tha Priya ka yakin aur badh
gaya ki abb wo din dur nahi jab Sameer ko bhi usse pyar ho jaayega Sameer ko
aise hi kuch der tak gate ke saamne khada dekh kar Priya ne kaha
Priya:- gate par kyu khade ho andar aa jao kuch baat karte hai
Sameer:- sorry bura mat maanna abhi mood off hai itna keh kar Sameer apne
room me chala gaya Shruti ka badhti mann maani ki wajah se Sameer ko bohat
gussa aa raha tha Priya bhi Sameer ki haalat samajh gayi usne bhi kuch nahi
kaha aur Sameer ko jaane diya usne socha ki wo baad me hi Sameer se baat
karegi Sameer bhi apne room me jaane ke baad bed par baith gaya aur Shruti
aur uske badhte manmaani ke bare me sochne laga Shruti ka usko uss tarah se
ignore kar ke chale jaana bilkul bhi pasand nahi aaya Sameer ne bhi soch liya ki
wo bhi tab tak Shruti se baat nahi karega jab tak Shruti hi baat ka shuruwat nahi
karegi ye soch dimaag me aane ke baad Sameer ne faisla kar liya ki wo yahi
karega kuch din tak usse Shruti se chhutkaara bhi mil jaayega Sameer yahi sab
baatein soch raha tha ki uske room ki gate me knock ki aawaj aaya Sameer ne
gate khola to usne apne maa ko dekha usse samajh me nahi aa raha tha ki iss
wakt Mrs Sharma yaha kyu aayi hai Sameer yahi sab soch raha tha ki Mrs
Sharma andar jaa kar bed me baith gayi aur Sameer se kaha
Mrs Sharma:- bohat badla hua lag raha hai aajkal kya baat hai? Mrs Sharma ne
pichle kuch dino me jo mehsus kiya tha aaj ussi sawal ko Sameer se pucch liya
Sameer:- nahi maa aisi koi baat nahi hai Sameer ne baat ko taalne ki koshish
kiya lekin uske aawaj se hi pata chal raha tha ki wo baat ko taalne ki koshish kar
raha tha itna keh kar Sameer bhi andar aa gaya
Mrs Sharma:- bohat din se dekh rahi hun tu kuch parshan sa lag raha hai kuch
batata bhi nahi hai aur akele me ghut ta rehta hai Mrs Sharma ki baat sun kar
Sameer ko pata chal gaya ki wo apne maa se kuch chupa nahi sakta jitna yakin
ke saath Mrs Sharma ne apni baat kahi thi usse ye saaf pata chal raha tha ki
unki baat sat pratisat sahi hai Sameer kuch nahi bola wo jhuth bhi nahi bol paa
raha tha Sameer ko chup dekh kar Mrs Sharma ne fir se kaha
Mrs Sharma:- mujhe bhi nahi batayega Mrs Sharma ne thoda niraash ho kar
kaha abb Sameer se bhi nahi raha gaya wo kuch der tak soch raha tha ki usse
apni pareshaani apni maa ko batana chaahiye ya nahi lekin maa ki baton ne
usse ajbur kar hi diya sab kuch bolne ke liye
Sameer:- maa har din naya pareshaani saamne aa raha hai jitna bhi khud ko
sambhaalne ki koshish karta hun aur pareshaani se dur jaana chaahta hun utni
hi nayi pareshaani saamne aa raha hai abb thak gaya hun saari pareshaaniyon
se ladte hue pata nahi kab chain se jee paaunga Sameer ki aawaj me ek dard
tha jo dard uske andar itne dino se daba hua tha wo dard aaj baahar nikal gaya
Sameer ki haalat dekh kar Mrs Sharma bhi bohat dar gayi Sameer ko aise toot te
hue unhone kabhi nah dekha tha
Mrs Sharma:- kya hua beta khul kar bata Priya ne kuch kaha hai kya fir se
Sameer:- nahi maa usne kuch nahi kiya hai usne to mujhe maaf bhi kar diya
bohat acchi hai wo mujhe mere bure haalat me bhi usne mera saath diya hai
Priya se to mera dosti bhi ho gaya hai abb Mrs Sharma ne jab ye baat suni tab
unka shak yakin me badal gaya unhe pehle hi laga tha ki Sameer aur Priya ke
bich ki naarajgi khatam ho gaya hai lekin Sameer ki baat ne unhe yakin dila diya
ye wakt inn baato ko sochne ka nahi tha unhe toot ta hua Sameer ko
sambhaalna tha
Mrs Sharma:- to kya baat hai abb tujhe kya pareshaani hai hairani aur dard
bhara aawaj se Mrs Sharma ne pucha
Sameer:- thak gaya hun apni jindagi se kab tak ladta rahunga aur kis kis se ladta
rahunga pehle college me Priya aur Karan se ladai uske baad Principal sir aur
unki beti se ladai Pratap aur Ramesh se ladai uske baad mera wo bhool aur
mera khud se ladai Priya aur khud ki najro me gir jaana uske baad jab sab kuch
thik hua to abb Shruti sar dard ban rahi hai pichle 3 saal se yahi sab ho raha hai
khushi ke pal shaayad hi kabhi mehsus kiya hai maine inn 3 saalo me jindagi itni
buri tarah se ulajh gaya hai ki kuch samajh me nahi aa raha hai ki kya karu ek
mushibat se nikalta hun to dusri mushibat saamne aa jaata hai Sameer ye kehte
hue bohat niraash ho gaya tha
Mrs Sharma:- Shruti sar dard ban rahi hai usne kya kiya? Mrs Sharma ne
Sameer ki pareshaani samajh liya Sameer ne saari baat bata diya tha ki sab
kuch thik ho gaya hai aur abb Shruti Sameer ka sar dard ban rahi hai iska matlab
wo samajh nahi paayi
Sameer:- mujhe abb lag raha hai ki usse shaadi ka faisla karna mera sabse galat
faisla tha Sameer ki aawaj me abhi bhi dard tha lekin uski aawaj me Shruti ke
liye gussa saaf mehsus ho raha tha
Mrs Sharma:- aisa kyu lag raha hai tujhe? Mrs Sharma ki aawaj me hairaani tha
subah unhe Sameer aur Shruti ki baat cheet thoda ajeeb jarur laga tha lekin
unhe ye nahi pata tha ki maamla bohat bigad gaya hai
Sameer:- maa shaayad wo abb badal gayi hai ya fir maine usse pehchaane me
galti kar diya hai jis Shruti se maine dosti kiya tha ya jis Shruti ko main apna best
friend manta thaw o Shruti aur ye Shruti me bohat fark hai maine jis Shruti se
dosti kiya tha wo hamesha mera saath deti thi usme har wo gun tha jo mujhe ek
dost ke roop me chaahiye tha lekin abb Shruti achanak se badal gayi hai har
baat par torture karna apna had se jyada hak jatana apna hi manmaani karna
abb ye sab bardaast se baahar ho raha hai mujhe to wo pareshaan karti hi hai
abb to wo bina wajah Priya ko bhi pareshaan karne lagi hai maa aaj aapne ye
baat notice kiya ya nahi wo mujhe nahi pata lekin maine notice kiya hai wo subah
jab aayi thi tab usne aapse koi baat nahi kiya aur naa hi jaate wakt bhi saaf
ignore kar diya usne aap ko jaise aap koi ajnabee hai uske liye mujhe aisi patni
nahi chaahiye jo itna khudgarz ho aur apne bare me hi soche abhi se ye haal hai
uska to baad me pata nahi aur kya kya hoga pata nahi kya chaahti hai ye ladki
kehti hai mujhse pyar karti hai lekin uska pyar kabhi mehsus nahi hua mujhe
nafrat si ho gayi hai usse pyar to kabhi usse hua hi nahi socha tha ki sabhi ki
khushi ke liye shaadi kar leta hun lekin abb mujhse aur bardaast nahi ho raha hai
Sameer ki aawaj me pehle ki tarah hi udaashi aur gussa tha Mrs Sharma ko abb
saari baat samajh me aa gaya Sameer ki pareshaani ki wajah unhe samajh me
aa gaya unhe bhi laga ki Sameer ka Shruti hona sach me bohat galat ho raha hai
agar Sameer ka shaadi Shruti se ho gaya to baad me usse ghut kar hi jeena
padega abb unke liye bohat aasaan ho gaya tha Sameer ko samjhaana
Mrs Sharma:- agar tujhe ye shaadi karna galat lag raha hai to mana kar de isme
sochne wali kya baat hai Mrs Sharma ne bohat aasani se bohat aasan raasta
bataya Sameer ko Sameer ne jab ye baat suna to wo buri tarah se chaunk gaya
usse apni maa ki baato par bilkul bhi yakin nahi ho raha tha
Sameer:- ye kya keh rahi hai aap? Sameer ne chaunk kar kaha
Mrs Sharma:- jo tujhe karna chaahiye wo hi keh raha hun agar tu khush nahi hai
to iss shaadi ka koi matlab nahi hai shaadi koi khel nahi hai aur majburi me to
shaadi bilkul bhi nahi hona chaahiye
Sameer:- lekin papa kya kahenge pehle hi wo mujhse naraaj hai abb agar fir se
ye shaadi karne ke liye mana kar diya to wo bohat naraaj ho jaayenge pehle hi
maine apni bhool ki wajah se aap logo kasar jhuka diya hai abb ye sab karne ki
himmat nahi hai mujh me Sameer ko Mr Sharma se bohat dar lag raha tha jis
tarah se wo Sameer ke saath behave kar rahe the
Mrs Sharma:- agar galti karega to naraaj to honge hi naa lekin teri bhool ne
hamara sar ko niche nahi jhukaya hai baki uncha kiya hai agar tu sab kuch jaan
kar bhi kuch nahi karta aur Priya ki shaadi ho jaati to hamaara sar jhuk jaata tune
apna bhool ko samajhkar usse sudhaara hai ye bohat accha kiya hai aur main
khush bhi hun ki tune bure haalat me bhi acchaayi ka saath nahi chhoda fir bhi
tune galti to kiya hi hai issi wajah se tere papa tujhse gussa hai ek baar papa se
baat kar le iss bare me wo teri baat jarur maanenge jab bhi tune unse koi jaayaz
maang kiya hai unhone kabhi mana nahi kiya hai hamesha tera saath diya hai
jab unhe pata chalega ki ye shaadi se tu khush nahi hai to wo tera saath jarur
denge tera khushi hi to unka khushi hai chinta mat kar main baat kar lungi unse
Mrs Sharma ki baat sun kar Sameer ko bohat accha laga jiss rishta ko wo apna
majburi samajh raha tha ye rishta uske liye abb majburi nahi raha
Mrs Sharma:- kabhi socha nahi that u apne papa se kabhi itna darega?
Sameer:- darta to hun lekin darne se jyada unka izzat karta hun jab main apna
bhool sudhaar lunga uss din jaakar unse maafi maang lunga mujhe yakin hai
papa mujhe maaf kar denge
Mrs Sharma:- chinta mat kar bohat jald sab kuch thik ho jaayega Sameer ko Mrs
Sharma se baat karne ke baad bohat raahat mila uska saara dard aur taklif
baahar nikal gaya tha abb wo kaafi halka mehsus kar raha tha uski maa ne bhi
uski aakhiri parshani bhi hal kar diya abb Shruti se shaadi karna Sameer ka
majburi nahi tha Priya ne bhi usse maaf kar diya abb Sameer ko koi pareshaani
nahi tha abb usne khud ko halka mehsus kiya wo bhi bohat lambe wakt ke baad
Mrs Sharma:- Shruti ki ghar me ye sandeshbhijwa du iss rishte o todne ke liye
keh kar Sameer ko chup dekh kar Mrs Sharma ne pucha
Sameer:- nahi maa abhi nahi abhi bohat wakt hai shaayad kuch
misunderstanding bhi ho sakta hai mujhe Shruti ko pehchaane me jo bhi ho raha
hai bohat jaldi me ho raha hai 2 hafte me Shruti ko pehchaane me shaayad galti
bhi ho sakta hai ek baar hi usse mila hun thoda wakt lena chaahta hun aur agar
fir bhi laga ki Shruti se shaadi karna galat hai to tab mann kar denge iss rishte ke
liye Sameer ne kuch soch kar kaha
Mrs Sharma:- thik hai jaisa tu thik samjhe Mrs Sharma ne abb jaakar khush ho
kar baat kiya unhe pata chal gaya tha ki abb Sameer ko koi pareshaani nahi hai
Mrs Sharma:- abb to koi pareshaani nahi hai na tujhe
Sameer:- nahi abb koi parshaani nahi hai thanks maa aapne bohat badi
parshaani se mujhe mukt kara diya agar aapne mujhse baat nahi kiya hota to na
jaane kb tak yahi takleef soch kar ghut ta rehta Sameer ne apna khushi jaahir
karte hue kaha
Mrs Sharma:- maa hun teri pata chal jaata hai tu kab khush hai au kab
pareshaan agar age bhi koi pareshaani aaye to mujhe batana itna keh kar Mrs
Sharma room se baahar jaane lagi
Sameer:- thik hai maa Sameer ne sukoon ke saath kaha Mrs Sharma room se
chali gayi Sameer ko abb bohat sukoon aur khushi mil raha tha saalo ki taklif se
aaj usse raahat mil gaya tha wo khusi me room me tehal hi raha tha ki usse yaad
aaya ki kuch der pehle Priya usse baat karna chaahti hai Sameer ne abb koi der
kiye bina hi apne room se baahar nikal gaya aur Priya ki room ki taraf badh gaya
haalat aur wakt dono badal hi gaya suru ho chuka hai abb Sameer aur Priya ki
kareebi aur Sameer aur Shruti ki duriyan Sameer ki baat ne anjaane me hi sahi
fir se Priya ko Karan ki yaad dilaa diya Priya Karan ko jitna bhulne ki koshish kar
rahi thi utna hi wo kisi na kisi wajah se yaad aa hi jaata tha pehla pyar ko
bhulaane ki koshish ek baar fir nakaam ho gaya Karan ki yaad aate hi Priya ko fir
se ek dard mehsoos hua thik waisa hi dard jo har ek insaan mehsoos karta hai
apna pehla pyar tutne par Priya to Sameer ki taklif kam karne ke liye aayi thi
lekin ulta Sameer ne hi anjaane me Priya ko uski adhuri pyar yaad dila kar ek
dard diya lekin Priya ne Sameer ko apna dard na dikhaate hue chhidh kar
jawaab diya
Priya:- mujhe nahi pata aise pyar ke baare me maine kabhi kisi ke liye bura nahi
chaaha maine to Karan se saccha pyar kiya tha mera pyar kabhi khudgarz aur
laalchi nahi tha Priya ne chhidhte hue jawaab diya aur apna najar dusri taraf
ghuma liya
Sameer:- maine kab kaha tumhaara pyar me khudgarzi aur laalach tha maine
bas ye sawaal puccha tha ki pehli nazar ka pyar me bhi khudgarz aur laalach
hota hai kya? chalo chhodo ye baatein tumhe bhi iss baare me kuch pata nahi
Sameer ki iss baat par Priya ne koi jawaab nahi diya wo dusri taraf hi dekhti rahi
kuch der idhar udhar dekhne ke baad usne Sameer se puccha
Priya:- lekin ye sab tum mujhse kyu keh rahe ho aur kyu puch rahe ho tum bhi
kisi se pyar karlo aur khud jaan jaoge Priya ki aawaj me abhi bhi thoda frustration
tha abhi bhi Priya ko Sameer par gussa aa raha tha Karan koi baat karne ki
wajah se
Sameer:- niche room ki taraf jaa hi raha tha ki office wali baat yaad aa gaya issi
liye puch liya tumse aur jaana chaahta tha ki tum iss baare me kya sochti ho
Priya:- to tum aise hi tumhaari har personal baatein mere saath karke mera
dimaag kharaab karoge Priya ki gussa Sameer ki baato se aur badh raha tha
Sameer:- sorry pata nahi tha tumhe meri baat itna bura lagega maine just friendly
tumse ye baat puch liya tha Sameer ki baat sun kar Priya chaunk gayi kuch pal
Sameer ko dekh kar usne kaha
Priya:- friend tumhara dimaag kharaab ho gaya hai kya ham kab friend bane jo
tum mujhse friendly baat kar rahe ho? Priya ko pehle se Sameer par gussa aa
raha tha upar se Sameer ki baatein uska gussa aur badha raha tha Sameer ko
bhi Priya ki aisi unchi(tej) aawaj me baat karne se gussa aane laga tha lekin wo
kisi tarah apne upar control kar raha tha
Sameer:- main soch raha tha ki jab tak tum yaha rehti ho tab tak tum se acche se
behave karu matlab friendly tarike se uske baad to ham kabhi ek dusre ko
dekhenge bhi nahi to fir kya faaida aur ladne se ye baat main jaan gaya hun ki
tumhaari koi galti nahi hai suruwaat me bhi jo galatfehmi tha tumhaare liye wo
Karan ki wajah se tha jo main samajh nahi paaya abb wo saari galtiya sudhaarna
chaahta hun issliye soch raha hun jab tak tum yaha rehti ho tab tak tum tum
thoda accha feel karo aaj office me bhi issi baare me soch raha tha bohat sochne
ke baad pata chala ki ham dono ki bich itni saari problem aur dushmani kyu hua
ye sab ki wajah ek misunderstanding tha jisne baad me dushmani ka roop le liya
(kuch der chup rehne ke baad) mere khayal me hame ye dushmani khatam kar
dena chaahiye ye dushmani kisi baat ka samadhaan (solution) nahi hai jab rak
hamaare bich ye dushmani rahega tab tak hamaare dil aur dimaag me ek bojh sa
rahega bas ek dusre ki galti hi dikhega kabhi ham ek dusre ki acchaayi nahi jaan
paayenge hamaare bich jo bhi galatfehmiyan hai wo sab hamaare dushmani ki
wajah se ham kabhi ek dusre ke dost nahi the ek chhoti si ladaai wo bhi pehli hi
mulaakat me hua tha jis wajah se ham dono ne ek dusre ko galat samajh liya aur
hamaare bich ki dushmani bhi badhta chala gaya uss time dushmani me main
andha ho gaya tha aur tumhaari baare me galat sochta tha jabki tum bilkul bhi
galat nahi thi kabhi apna gussa aur nafrat ki wajah se to kabhi Karan ki wajah se
tumhe galat soch baitha aur thik waisa hi tumne mere baare me jitna tum sochti
thi main utna bura nahi tha lekin hamaara dushmani iss tarah se badh gaya ki
main ye bhool kar baitha ek baar tum ye dushmani bhool kar to dekho mere
baare me jo galatfehmi hai tumhaare wo sab dur ho jaayenge Sameer ne Priya
ko samjahaane ki koshish kiya lekin wo iss baat se anjaan tha ki Priya iss baat
ka kuch aur hi matlab nikaal legi
Priya:- abb tum mujhe sikaaoge mujhe kya karna chaahiye aur kya nahi tum
chaahte ho ki main tumhe maaf kar du tum khud hi bataao tumne maafi laayak
kaam kiya hai kya? mere jindagi ka iss tarah se majaak udaane ke baad keh
rahe ho ki main ye sab bhool jaau aur tumhe maaf karke tumhaara doat ban jaau
wo sab baatein bhool jaau jab tum sabke saamne mujhe beizzat karte the tumhe
abhi bhi apni galti ka ehsaas nahi hua hai issi liye mujhse ye sab baat kar rahe
ho agar tum apni galti maante tab aisi baat mujhse nahi karte abb tumhe kuch
pal sochne ke baad apni galti ka ehsaas hua aur kehte ho ki ye sab
misunderstanding ki wajah se hua tab tumne ye baat kyu nahj socha agar tab
tumhaare paas ye sab baat sochne ka fursat hota to shaayad ye galti tumse nahi
hota nahi hun Sameer main utni mahan jo tumhe maaf kar paau tumhaari iss
galti ko main kabhi maaf nahi kar paaungi aur tum apna comparison Karan se
bilkul mat karna tum se laakh guna accha hai Karan kam se kam tumhaara jaisa
galti to nahi kiya aur tumhe meri fikar karne ki koi jaroorat nahi hai tum sochte ho
ki main akeli bore ho jaaungi to mujhe tumse dosti kar leni chaahiye taaki mera
time acche se kat sake nahi Sameer mujhe tumse koi bhi rishta nahi rakhna
naahi dosti ka aur naahi dushmani ka tum inn me se kuch bhi deserve nahi karte
main to bas itna chaahti hun ki kisi tarah ye divorce tak ka wakt acche se kat
jaaye aur uske baad main free ho jaaungi uske baad mujhe tumse koi matlab
nahi Priya ne bhi gusse me Sameer ko bohat suna diya Sameer pehle se hi apna
gussa control kar raha tha lekin Priya ki iss baat par wo khud par kaabu nahi
rakh saka usse pata chal gaya ki wo gusse me kuch bhi kar sakta hai iss liye
Priya se dur chale jaane me hi usne apna bhalaayi samjha wo teji se chhat ki
dusri kona ki taraf chala gaya aur waha par khada hokar gussa bhari nighaao se
jameen ki taraf dekhne laga Priya bhi Sameer ka ye gussa wala roop dekh kar
kuch samajh nahi paa rahi thi shaadi ke baad pehli baar Sameer ko Priya par
gusaa aaya tha Sameer shaayad Priya ki sabhi baatein seh leta lekin usko Priya
ki uska Karan se compare karne waali baat bilkul bhi pasand nahi aaya Priya ne
Sameer ko Karan se bhi galat insaan keh diya tha jo Sameer se bardaast nahi
hua gusse me usne do jordaar punch diwaal(wall) par maara fir bhi uska gussa
kam nahi hua wo abb sidha Priya ki taraf gusse me aaya usne soch liya abb
bohat hua ek baar Priya se baat karke Priya ka galti bhi dikhaana hoga Priya
pehle se hi Sameer ka ye roop dekh kar hairaan thi aur abb Sameer ka aise
gusse se uski taraf aane ki wajah se aur hairaan ho gayi lekin wo bilkul bhi dari
hui nahi thi kuch pal me Sameer uske paas aaya aur thoda tej aawaj me bolne
laga Sameer kuch der me Priya ke room me pahuncha jab usne door par knock
kiya to koi response nahi mila do chaar baar aur knock kiya fir bhi koi reponse
nahi mila Sameer ne ghadi me time dekha to dopahar ka 12:00 pm baj raha tha
Sameer ne socha ki Priya abhi so rahi hogi uske baad Sameer bhi apne room
me aa gaya abb Sameer ke paas karne ke liye kuch nahi tha maa se baat karne
ke baad wo khud ko bohat halka mehsus kar raha tha abb usse naahi koi
aatmaglaani tha aur naa hi koi majburi aaj wo bohat din baad itna sukoon
mehsus kar raha tha andar se bohat khush tha wo aaj Sameer yahi sab baatein
sochte hue bed par jaa kar lait gaya bed me laitne ke kuch der baad hi wo gehri
neend me so gaya neend me bhi uske chehre me sukoon dikh raha tha Sameer
kareeb 3 ghanta baad utha jab uski aankhein khula to usne apne paas Priya ka
dhundla sa roop dekha usse vishwas nahi ho raha tha ki Priya uske paas baithi
hai Sameer turant utth kar bed me baith gaya aur apni aankhein meench kar fir
se Priya ko dekhne laga iss baar usne mehsus kiya ki sach me Priya hi hai usne
ye bhi mehsus kiya ki Priya thoda naraaj lag rahi hai
Sameer:- tum yahan kab se? Sameer ne kuch der baad hairaani se pucha
Priya:- to aap ka neend khul hi gaya Priya ne thoda chhidh kar puccha
Sameer:- han lekin tum yaha kab se ho
Priya:- picchle aadha ghante se iss baar bhi Priya ne thoda chhidhte hue kaha
Sameer ne jaise hi ye suna usne aur bhi hairaani ke saath pucha
Sameer:- to mujhe uthaya kyu nahi
Priya:- kaise uthaati tum to ghoda bech kar soo rahi thi Priya ne iss baar bhi
chhidhte hue kaha Priya ki iss baat par Sameer ne kuch nahi kaha Priya ki baato
ka jawaab Sameer ne has kar diya
Priya:- maine koi jokes kaha kya tum hans kyu rahe ho
Sameer:- nahi tumne jokes nahi kaha lekin ye soch kar hansi aa raha hai ki tum
abhi tak naaraj hone ka acting acche se nahi kar paa rahi ho Sameer ki iss baat
par Priya ka chehra ka rang ek dam se badal gaya usse hairaani ho rahi thi ki itni
acchi acting ke baad bhi Sameer ko kaise pata chal gaya ki wo naraaj hone ka
acting kar rahi hai lekin agle hi pal usne gussa hone ka dikhaawa kiya aur pucha
Priya:- kisne kaha main naraaj hone ka acting kar rahi hun main sach me tum se
naraaj hun
Sameer:- wo to tumhara chehra bata raha hai ki tum kitna naraaj ho main itna bhi
bewkoof nahi hun ki kisi ka chehra aur baton se uske soch ke bare me pata na
laga saku Sameer ne muskurate hue kaha
Priya:- kaash tum Shruti ko bhi pehchaan paate achanak hi Priya ki mouh se ye
baat nikla lekin aawaj itna dheemi tha ki Sameer acche se sun nahi paaya
Sameer:- tumne kuch kaha
Priya:- nahi kuch nahi Priya ne thoda hadbada kar boli jise Sameer ne bhi
mehsus kiya lekin usne is baat ko aage nahi badhaya
Sameer:- aadha ghante se yaha par ho matlab tumhe koi jaruri baat karna hai
agar mujhe utha deti to itna intejaar to nahi karna padta bataao kya kehna
chaahti ho? abb Sameer ne mudde ki baat kaha
Priya:- koi khaas baat nahi hai tumhara mood aur gussa dekh kar dar gayi thi
socha tha kuch der tumhe akela chhod deti hun aur fir baat karungi jab yaha aayi
to dekha ki tum bohat sukoon ke saath so rahe ho uthaane ka mann nahi kiya
pehli baar tumhe itna chain se sote hue dekha hai jab tummere room se gaye the
tab bohat gusse me thhe achanak kya ho gaya ki tumhaare chehre me itna
sukoon aaya Priya ne aadhe ghante baad apna hairaani se bhara hua sawal
Sameer se kiya fir uske baad Sameer ne uske aur uske maa ki bich ki saari baat
Priya ko bata diya Sameer ki baat sunne ke baad Priya khush ho kar boli
Priya:- matlab tum bhi Shruti se shaadi nahi karna chaahte ho Priya ko agle hi
pal mehsus hua ki usne kya pucha hai usse apne iss over excitement par gussa
aa raha tha lekin Sameer iss baar uski baat ka matlab samajh nahi paaya
Sameer:- pata nahi kuch bhi kehna abhi jaldbaazi hoga lekin pata nahi kyu abb
usse nafrat sa hota jaa raha hai uski koi bhi baat mujhe pasand nahi aa raha hai
jab bhi usse baat karta hun to pata nahi kyu bohat gussa aata hai Priya ne ek
baar fir Sameer ka Shruti ke liye badh raha nafrat ko mehsus kiya
Priya:- tum ek baar usse acche se baat kyu nahi karte baat karke hi problem ka
solution aata hai
Sameer:- nahi jab tak wo baat ka suruwat nahi karegi main bhi nahi karunga
mera bhi kuch self respect hai wo mujhe iss tarah se ignore karke gayi hai jaise
yaha aa kar bohat bada kripa kar diya hai mujh par galti uska attitude uska aur
maafi main maangu aisa bilkul nahi hoga Sameer ne bohat gusse se kaha uska
dil me Shruti ke liye paida ho chukka nafrat dhire dhire apne roop me aa raha tha
Priya:- arre shaant ho jao main to tumhaara mood thik karne aayi thi lekin tum fir
gussa ho rahe ho Priya ne lagh bhag daant te hue kaha Sameer ne jawaab me
kuch nahi kaha thodi der chup reh kar apne gussa par kaabu karne laga wo bhi
Shruti ki wajah se apna mood kharab karna nahi chaahte ho
Sameer:- sorry pata nahi kyu itna gussa ho gaya tha tum mujhse baat karne aayi
thi aur main bekaar me gussa ho gaya
Priya:- chhodo uss baat ko shaayad maine hi galat jagah par galat sawaal kar
diya tha
Sameer:- han ye bekaar ki baat ki chakkar me bhl hi gaya tum kuch baat karne
aayi thi
Priya:- tumhaara mood dekhne aayi thi tumhaara gussa kam hua ya nahi
Sameer:- aaj kal kuch jyada hi gussa ho raha hun pata nahi kab tak aise hi gussa
aata rahega jitna bhi control karne ki koshish karta hun utna hi nakaam rehta hun
Sameer ne fir khud par gussa hote hue kaha

Priya:- do hi raasta hai yaa to tum Shruti se acche se baat kar ke saari maamla
suljha lo ya fir tum usse ignore karo aur uske bare me socho hi mat yahi tumhara
gussa aur frustration ka ilaaj hai
Sameer:- accha idea hai dusra raasta sahi hai usse ignore karna hi accha hoga
Sameer ki iss baat ke baad fir kuch pal ke liye khaamoshi chaa gaya thodi der ki
iss khaamoshi ko tod kar Sameer ne hi kaha
Sameer:- kuch to bolo bohat der se chup ho
Priya:- kya bolu Priya ne kuch soch kar kaha usse samajh nahi aa raha tha ki
Sameer usse kya kehne ke liye keh raha hai
Sameer: kuch bhi tumhaari baato me jaadu hai jab bhi tumse baatein karta hun
mood halka ho jaata hai aur dil chaahta hai ki tumhaari baatein suntan jaau
bohat hi madhur aawaj hai tumhaari Sameer ne iss baar dil se apni baat kaha
Sameer ki mouh se apni taarif sun kar Priya bohat khush ho gayi
Priya:- abb flirting bhi karne lag gaye ho tum Priya ki baat sun kar Sameer ka
mouh ek dam se khul gaya wo itna buri tarah se chaunk gaya tha ki usse Priya ki
baato par vishwas hi nahi ho raha tha usse samajh nahi aa raha tha ki Priya ki
iss baat ka kya jawaab de Sameer ko aisa shocked dekh kar fir Priya ne hi kaha
Priya:- majaak kar rahi thi abb apna mouh band kar lo Priya itna keh kar Sameer
ki haalat par jor se hasne lagi Sameer ko itna ghabraya hua usne kabhi dekha
nahi tha Priya ka majaak wala baat sun kar Sameer ka haalat aur kharab ho
gaya tha lekin kuch der me Priya ka hansi me wo bhi khone lag gaya Priya ka
hansi dekh uske chehre me bhi muskaan aa gaya jab Priya ne hasna band kar
ke Sameer ki taraf dekha to Sameer ne kaha
Sameer:- aisa majaak mat karo ek pal ke liye to main chaunk hi gaya tha
tumhaari baato par koi jawaab bhi nahi de paa raha tha itna kehne ke baad
Sameer ko raahat mila
Priya:- kyu jawaab nahi de paa rahe the Priya Sameer ki haalat ka aur maja lena
chaahti thi usne Sameer ka taang aur khichte hue kaha Sameer Priya ki iss baat
par fir soch me pad gaya fir hadbadahat ke saath kaha
Sameer:- kyu ki maine kabhi kisi ke saath flirting nahi kiya hai aur iss iljaam ne
chaunka diya mujhe
Priya:- abhi tak nahi kiya? Priya ne iss baar chaunk kar kaha Sameer ki baat par
usse vishwas nahi ho raha tha
Sameer:- kabhi kisi se pyar kiya hi nahi to flirting kyu karunga
Priya:- matlab pyar karne ke baad flirting karoge fir Priya ne hans kar pucha
Sameer ka haalat fir kharab ho gaya
Sameer:- shayad Sameer ki iss baat par fir Priya ko hansi aa gaya Sameer ko
jab pata chala ki usne kya kaha hai tab usko fir khud par gussa aane laga Priya
ne Sameer ki iss baat par apne mann me hi kaha
Priya:- (in her mind) dekhte hai Priya apne khayalon me hi thi ki Sameer ki baton
se hosh me aayi
Sameer:- abb bas bhi karo bohat majaak udaa liya tumne mera Sameer ne
jhutha gussa dikha kar kaha lekin Priya ko bhi uske iss jhutha gussa ke bare me
pata chal gaya
Priya:- maine kab tumhara majaak banaya tum khud hi aisa jawaab de rahe ho
Sameer:- tum se baton me koi nahi jeet sakta Sameer ne chhidhne ka acting
karte hue kaha
Priya:- iss baat me koi shak nahi Priya ye keh kar fir khil khilaane lagi uski hansi
dekh kar Sameer bhi naarajgi ka naatak bhul kar Priya ke saath hasne laga thodi
der tak dono saath me hanste rahe fir achaanak donoke bich khaamoshi chaa
gaya dono me se kisi ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki kya baat kare kuch
der baad Priya ne kaha
Priya:- aaj main ek plan banaya hai
Sameer:- kaisa plan? Sameer ne utsukta ke saath pucha
Priya:- bohat din ho gaye iss sheher me kahi baahar nahi gaye hai kyu na aaj
ham movie dekhne chale saath me ghumenge dinner karenge aur raat me yaha
aayenge Priya ne itna keh kar Sameer ko dekha usse yakin tha ki Sameer uska
baat jarur maanega Priya ki baat sunne ke baad Sameer ne ghadi me time
dekha uss wakt 3:45 pm baj raha tha
Sameer:- bohat accha plan hai tum ready ho kar aao 5:00 pm me yaha se
chalenge Sameer ne bhi khushi ke saath kaha Priya Sameer ki baat sun kar
bohat khush ho gayi aur apne room ki taraf jaane lagi Priya ke jaane ke baad
Sameer khud se hi baatein karne laga
Sameer:- sach me jaadu hai Priya ki baato me Shruti ki wajah se mood off ho
gaya tha mera lekin Priya se baat karne ke baad kuch hi pal me halka ho gaya
kitni pyari baatein karti hai mann karta hai ki uski baatein sunta hi rahu dusri taraf
Priya bhi Sameer ki baat sun kar bohat khush thi Sameer ka Shruti ke saath
shaadi karna Sameer ki abb majburi nahi hai iss baat se Priya bohat khush ho
gayi thi Sameer ka uski baatein sunna uski baatein sunna aur aaj flirting topic ki
baatein soch kar Priya ko bhi bohat accha lag raha tha uska yakin abb badhte hi
jaa raha tha ki abb wo din jyada dur nahi jab Sameer uska ho jaayega Priya apni
room me to aa gayi lekin aate wakt wo apna mobile Sameer ke room me hi bhul
gayi Priya ka Sameer ke room me jaane ke baad hi Sameer ka bhi najar Priya ke
mobile par pad gaya Sameer ne Priya ka mobile utha liya aur features check
karne lag gaya wo Priya ka mobile aise hi dekh raha tha ki galti se usne
recording par click kar diya recording me usne dekha ki my singing records naam
ke kuch files the sabhi ka length 5 minute ke around the lekin ek file ka 35 minute
ka tha Sameer ko ye dekh kar thoda ajeeb laga aur usne uss song ko play kiya
suru me jab wo song play hua to Sameer ke kaano me Priya ka gaya hua ek
madhur gaana uske kaan me pada karib 3 minute beeta tha ki wo song band ho
gaya uske baad door par knock ki aawaj aaya aur uske baad Priya aur Shruti ki
bich ki baat cheet Sameer ne saari baat sun liya usse abb Shruti aur Priya dono
par gussa aa raha tha Shruti par gussa issi liye ki usse pata chal gaya tha ki
Shruti ne koi bohat bada saajish kiya hai aur Priya par iss liye ki Priya ne Sameer
se ye baat chupaaya tha Sameer gusse me Priya ka intejaar karne laga Sameer
ne jab wo recording suna uske 10 minute baad Priya ready ho kar Sameer ke
room me aa gayi jab usne Sameer ko fir se gussa dekha tab hairaani se pucha
Priya:- abb kya hua abb apna mouh fir kyu fulaa liya? Priya ne pehle ki tarah
majaak me ye baat pucha jawaab me Sameer ne wo recording fir play kiya aur
forward kar ke Priya ko suna diya fir pucha
Sameer:- ye sab kya hai? Sameer ne bohat gusse me pucha itna gussa me ki
Priya bhi dar gayi
Priya:- tumhe ye recording kaise mila Priya ne hairaani se pucha
Sameer:- aise hi tumhara mobile dekh raha tha ki ye file mil gaya abb baat jyada
mat ghumaao aur jo maine pucha hai uss baat ka jawaab do tum Shruti se kisi
saajish ke baareme baat kar rahi thi kya saajish tha wo bataao kya kiya Shruti
ne? gusse me Sameer ne pucha Priya ko laga ki abb chupaane se koi faayida
nahi hai Sameer ko sab bata dena hi thik rahega shaayad isse behtar mauka
usse fir kabhi na mile uske baad Priya ne Sameer ko Shruti ki sabhi kartut ke
bare me bataati chali gayi Sameer ne jab saari baatein sun liya tab uske chehre
me gussa aur hairaani ke bhaaw thhe usse vishwas nahi ho raha tha ki Shruti
aisa kar sakti hai
Sameer:- itna bada dhokha wo bhi ek dost ki taraf se itna keh kar Sameer bohat
gusse me room se nikal gaya Priya piche se Sameer ko rokti rahi lekin Sameer
ne kuch nahi suna Sameer apne room se nikal kar bike me Shruti ke ghar ki taraf
jaane laga Sameer ki bike ki speed uska gussa ka gawahi de raha tha
Sameer ka itna gussa aur jaldbaazi se Priya ko bohat dar lag raha tha wo mann
hi mann dua kar rahi thi ki Sameer ke saath kuch galat na ho karib 20 minute
baad Sameer Shruti ke ghar pahunch gaya bike ko ek jagah park karne ke baad
Sameer bina koi der kiye Shruti ki ghar ke andar pahuncha Sameer pehle bhi
Shruti ki ghar me aaya tha to watchman ne usse pehchaan liya watchman ne
Sameer ko andar jaane ke liye koi rok tok nahi kiya Sameer jab ghar ke andar
ghusa aur gate ke paas pahuncha to usne ruke bina doorbell bajaana suru kiya
Sameer ne doorbell tab tak bajaya jab tak door nahi khula uska gussa kam hone
ki jagah badhta hi jaa raha tha karib 1 minute baad Shruti ki maa ne door khola
gate kholne ke baad gusse me unhone kaha
S mom:- kaun iss tarah se door bell baja raha hai? unhone ye to keh diya lekin
jab agle pal unhone Sameer ko dekha tab wo ek dam se chup ho gayi Sameer
ka gusse se bhara lal chehra aur Sameer ka iss wakt yaha aana unhe samajh
me nahi aa raha tha apni hairaani ko chupaate hue unhone pucha
S mom:- Sameer tum yaha unhone apni hairaani ko chupaane ki puri koshish
kiya tha lekin fir bhi chupa nahi saki Sameer ne bhi koi parwah nahi kiya aur bola
Sameer:- kya main andar aa sakta hu? Sameer ki aawaj se hi pata chal raha tha
wo kitna gussa me hai
S mom:- haa kyu nahi? Shruti ki maa ki aawaj me hairaani ke saath abb thoda
dar bhi tha Sameer andar jaa kar ek sofe me baith gaya aur kuch bolne hi wala
tha ki Shruti ki maa ne kaha S mom:- beta tum bohat gusse me lag rahe ho?
darte hue dhire se Shruti ki maa ne kaha
Sameer:- Shruti ko bulaaiye? gusse se bhare aawaj me Sameer ne kaha Shruti
ki maa ki samajh me kuch nahi aa raha tha lekin wo Sameer ki baat maante hue
Shruti ko bulaane Shruti ki kamre ki taraf chali gayi kuch der baad Shruti aur
Shruti ki maa dono saath hi aa gayi Sameer ko itna gussa dekh Shruti ko bhi
kuch samajh me nahi aa raha tha lekin naarajgi ke saath usne Sameer se kaha
Shruti:- kya hua Sameer tum yaha kyu aaye ho? Shruti ko Sameer ki gussa ki
wajah to pata nahi tha lekin uss bewkoof ko lag raha tha ki Sameer ka gussa
uske adaa dikhaane se khatam ho jaayega Sameer ne uski baat ko parwah na
karte hue Priya ka mobile se wo recording play kar diya Shruti aur Shruti ki maa
ne wo recording bohat dhyan se suna Shruti ka to dar har pal badh raha tha
recording sunte wakt Shruti ki maa ko kuch samajh me nahi aa raha tha
recording band hone ke baad Sameer ne kaha Sameer:- mujhe sab pata chal
gaya hai tumhaari saajish tumhaari dhokebaazi aur bhi bohat kuch mujhe to khud
par gussa aa raha hai maine tujh jaisi giri hui ladki se dosti hi kyu kiya aur mujhe
paagal kutte ne kaata tha jo tere saath shaadi karne ka faisla kiya Sameer ne
gusse me Shruti ko khaa jaane wali najro se dekh kar kaha Sameer ka gussa aur
usko sach pata chal jaana Shruti ke upar pahad girne barabar tha usse samajh
me nahi aa raha tha ki wo kya jawaab de aur wo jawaab dene ki haalat me bhi
nahi thi Sameer ka gusse wala ye kuch lafz ne uske saare sapne tod diye the dar
dard aur hairaani ke saath usne apne sar jhuka liya aur khaamosh rahi Sameer
ka gussa aur Shruti ka sar jhukaana Shruti ki maa ki samajh me nahi aa raha tha
aur unse ye dekha bhi nahi jaa raha tha bina der kiye unhone Sameer se pucha
S mom:- kya hua Sameer tum itne gusse me kyu ho aur ye shaadi todne ki baat
kyu kar rahe ho?Shruti tu kyu iss tarah se sar jhuka rahi hai? Shruti ki maa ki
aawaj me hairaani ke saath abb gussa bhi tha
Sameer:- kya hua hai? ye aap Shruti se puchiye Sameer ki baat sunne ke baad
Shruti ki maa ne Shruti ko ek do baar pucha bhi lekin Shruti ne kuch nahi bataya
wo sar jhuka kar hi khadi rahi karib 5 minute tak chup rehne ke baad Shruti ne
himmat karke bola
Shruti:- aakhir Priya ne bhi apna rang dikhaa hi diya kehti thi kuch nahi batayegi
lekin bata hi diya usne bhi Shruti ne dhire se kaha lekin uski aawaj me Priya ke
liye bohat nafrat tha Shruti ki baat sunne ke baad Sameer hasne laga uska hansi
me bhi gussa aur Shruti ke liye nafrat saaf jhalak raha tha
Shruti:- tum hans kyu rahe ho? Shruti ki aawaj me hairaani aur dar tha
Sameer:- ek dhokhe baaz kisi se umeed karti hai ki wo uske raaj ko raaj rakhe
bhale hi wo uske jindagi se khilwaad kare tujh jaisi dhokhebaaz aur giri hui ladki
aaj tak nahi dekha maine Sameer ne ekdam se aakramak(aggressive) ho kar
kaha kuch der se daba kar rakha hua gussa nikalnr laga tha
Shruti:- bas Sameer abba age kuch mat bolna Shruti ne chilla kar kaha aur itna
keh kar chup ho gayi Sameer ka usko yun apmaan karna bura lag raha tha aur
usne bhi gusse me jawaab de diya
Sameer:- han main aage kuch nahi bolunga aur tu kisi ko dhokha deti rahegi
Sameer ne bhi nafrat se kaha
Shruti:- please Sameer chup ho jao mujhse tumhaara ye gussa dekha nahi jaa
raha iss baar Shruti ne gidgidaate hue kaha abb usse yahi ek raasta najar aa
raha tha Sameer se maafi maagne ke liye Sameer ne iss baar koi jawaab nahi
diya wo Shruti ko kutil muskaan dene laga
Shruti:- tum hans kyu rahe ho Shruti ne dhire se aur hairaani ke saath kaha
Sameer ka uske saath aise bartaaw aur dhokhebaaz kehna har pal usko khaaye
jaa raha tha
Sameer:- dekh raha hun kitni jaldi grgit ki tarah tune rang badal liya gusse se
gidgidaane ka acting lekin tera har koshish bekaar hai main tera sabhi assliyat
jaan chukka hun
Shruti:- please Sameer meri baat to suno
Sameer:- chal suna kya kahani sunaati hai suna main sunleta hun lekin iss baar
Rajesh ki accident ki time se bhi acchi kahani suna Sameer gusse me paagal
hota jaa raha tha
Shruti:- please Sameer ek baar baat sun lo maine job hi kiya hamaare liye kiya
Shruti ki iss baat se Sameer ne chaunk kar kaha
Sameer:- hamaare liye aisa kya kiya tune?aur bechaari Priya se iss tarah badla
lene me tujhe kya faaida hua? Sameer ne gussa aur hairaani ke saath pucha
Shruti ko abb jaakar raahat mila uski umeed badh gayi ki Sameer abb uski baat
sunega usne chain ka saans le kar kehna suru kiya
Shruti:- tum Priya se nafrat karte the aur wo bhi tumse mujhse bardaast nahi ho
raha tha uska tumhe beizzat karna wo tumhe bohat kuch keh kar chali jaati thi
aur tum khaamosh ho kar sunte the kuch nahi kehte the maine socha usse badla
lena hi hoga aur main ek badle ka plan banaya jisse wo jindagi bhar na bhula
paati maine tumhaara badla liya hai Priya se lekin mera badla naakaamyab raha
aur tumhe Priya se shaadi karna pada Shruti ki baat sun kar Sameer ka gussa
aur bhi badh gaya
Sameer:- sach me tu paagal hai aisi choti baat par aisa badla wo ham dono ka
dushmani tha kabhi main uska beizzati karta tha to kabhi wo meri lekin maine to
kabhi aisa badle ke bare me nahi socha main to usse ignore karta tha Sameer ne
itna hi kaha tha ki Shruti ne Sameer ko bich me hi rok kar kaha
Shruti:- lekin mujhse ignore nahi ho raha tha nahi dekha jaa raha tha mujhse
mera pyar ka apman hote hue wo do kaudi ki ladki tumhaara majaak udaati thi
wo bhi mere saamne sabke saamne kaise hota mujhse ye sab bardaast maine jo
kiya bilkul sahi kiya wo issi saja ki laayak thi sab kuch thik jaa raha tha lekin
tumhaara dimaag kharab ho gaya aur ye mushibat aa gaya Shruti ne iss baar
confidence ke saath kaha usse yakin tha ki Sameer uska baat maan jaayega
Sameer:- waah kya soch hai teri itna keh kar Sameer ne gusse se taali bajaane
laga aur fir kaha
Sameer:- nahi dekha hai tujh jaisi ajeeb ladki aur kabhi dekha bhi nahi chaahta
hun mujhe laga tha itna sab kuch hone ke baad tu maafi maangegi lekin nahi tu
to abhi bhi iss baat par jidd kar rahi hai ki tu hi sahi hai itna keh kar Sameer chup
ho gaya usse gussa aur Shruti ki baat ki wajah se aage kya bole kuch samajh
me nahi aa raha tha wo gusse me idhar udhar dekh raha tha ki uski najar
hairaani ke saath khadi Shruti ki maa par pada usne Shruti ki maa ko Shruti ki
saari saajish ke bare me bata diya Sameer ki baat sunne ke baad Shruti ki maa
ne gusse se Shruti ko dekha lekin kuch boli nahi Sameer ne Shruti ki maa se
pucha
Sameer:- abb aap hi bataaiye? kya Shruti sahi hai? Sameer ki baat par Shruti ki
maa ne garden ko naa me hila kar jawab diya uske baad Sameer ne Shruti ki
taraf dekha aur kaha
Sameer:- dekh liya tune apni maa ka jawaab Sameer ki iss baat par Shruti ne
apni maa ki taraf dekha lekin usne kuch nahi kaha
Sameer:- tujhse bohat baat karne aaya tha lekin teri soch dekh kar lagta hai
tujhse baat karna hi bekaar hai accha main chalta hun abb aage se mujhse baat
karne ka sochna bhi mat yahi tak tha hamaara dosti ka safar itna keh kar Sameer
jaane ke liye muda hi tha ki Shruti ne usse kandhe par haath rakhte hue rok kar
kaha
Shruti:- tum iss tarah se piccha chhuda kar nahi jaa sakte
Sameer:- haath hata iss baar Sameer ne behad gusse se kaha lekin Shruti nahi
hataya Sameer khud hi aage badh kar jaane laga iss baar Shruti Sameer ke
aage aa kar khadi ho gayi aur boli
Shruti:- jaane se pehle bata do ki mera galti kya hai na chaahte hue bhi gusse
me Sameer ko hansi aa gaya aur thodi der hans kar kaha
Sameer:- galti jaana chaahti hai mujhe yakin hai agar main kahunga to bhi tu
apna kisi bhi galti ko nahi maanegi lekin fir bhi bata deta hun Priya ki jindagi ko
ego problem ki wajah se barbaad karne ko sochna isse to tune apna galti ki
jagah apna prem kartavya kaha hai lekin iss baat ka kya jawaab hai tere paas
tune iss badle ke liye mera istemaal kyu kiya mujhse pyar karti thi to mujhse itna
badi baat chupaaya kyu agar tu sahi rehti to main tera saath jarur deta lekin tujhe
pata tha ki tu galat hai aur main tera saath nahi deta issi liye tune mujhe bhi
dhokha diya aur mujhse itna bada bhool karwa liya
Shruti:- nahi maine galat nahi kiya main jaanti thi tum iss kaam me kabhi saath
nahi dete issi liye tumhe kuch nahi bataya tumse ye kaam iss liye karwaya kyu ki
ma chaahti thi kit um khud hi Priya se badla lo ek baar fir kahungi maine jo kiya
sahi kiya hai afsos hai kit um samajh nahi paa rahe ho Shruti ki baat sunne ke
baad gusse me Sameer ka dimaag ne kaam karna band kar diya gussa to itna
aa raha tha ki abb usse control nahi ho raha tha
Sameer:- mann to kar raha hai tera murder kar du lekin kar bhi nahi sakta ek
baat jaan gaya hun tu apna galti kabhi nahi maanegi thik hai tu khud ko sahi
kehti reh main chala lekin ek baat yaad rakhna shaayad hi main kabhi tujhe maaf
kar paau tune mujhse aisa bhool karwaya hai jise main kabhi bhul nahi sakta
dost ho kar tune mujhe dhokha diya hai tune mujhe pyar to tujhse kabhi kiya hi
nahi tha lekin aaj tujhse dosti bhi tod leta hun aaj bohat afsos ho raha hai tujhse
dosti kar ke tere behkaawe me aa kar maine Priya ke saath bohat galat kiya hai
usne to mujhe maaf kar diya hai lekin main tujhe maaf nahi karunga aaj sab kuch
pata chal gaya aur sab ka character dekh liya hai kaun dosti ke laayak hai aur
kaun nahi ye bhi pata chal gaya hai aaj tera character aur sacchaayi bhi dekh
liya hai teri ego ki wajah se Priya aur meri shaadi ho gayi main hi jaanta hun iss
shaadi ke baad mujh par kya beeta hai aur mujhe khud se hi kitna nafrat hua tha
lekin aaj kehta hun main lucky hun ki mera shaadi Priya se hua iss shaadi ke
baad main tujhse bach gaya tera asli chehra pata chal gaya iss shaadi ne mera
bhala jarur kiya hai itna keh kar Sameer ne Shruti ki maa ki taraf dekha aur kaha
Sameer:- yaad hai aunty jab mera aur Priya ka shaadi hua tha tab aapne mere
maa aur papa ke sikhaaye hue sanskar par sawal kiya tha lekin main nahi
karunga bas itna kahunga ki abb hamaara shaadi ka rishta tut gaya hai aur aap
isse samjha dena meri jindagi se dur rehne ke liye
Shruti:- nahi Sameer tum iss tarah nahi jaa sakte pyar karti hun main tumse aur
jo kiya hai tumhaare liye hi kiya hai bohat jald tum samajh jaoge Shruti abhi bhi
apni baat par hi addi thi ki usne jo kiya hai bilkul thik kiya hai
Sameer:- main kuch nahi kar raha hun iska matlab ye nahi ki main kuch karunga
bhi nahi main ladkiyo par haath nahi uthaata issi liye abhi tak tu sahi salaamat
hai bas itna kahunga ki aage mere jindagi me aane ki koshish bhi mat karna tu
kehti hai tu mujhse pyar karti hai lekin ek baar thande dimaag se soch tune mere
saath kya kiya tha isse pyar nahi torture kehte hai dmain hi jaanta that era pyar ki
wajah se main kitna pareshaan aur depressed ho gaya tha tune apne manmaani
aur attraction ke liye mera faaida uthaaya tha thande dimaag se soch tujhe pata
chal jaayega tune mujhse pyar kiya tha ya manmaani aur tujhe apni galti ka
ehsaas bhi ho jaayega itna keh kar Sameer Shruti ke ghar se nikalne laga fir se
piche se Shruti ne kaha
Shruti:- Sameer iss baar Sameer ne piche mud kar bohat hi gusse se dekha aur
fir mud kar aage ki taraf jaane laga gate par pahunch kar usne piche muda aur
kaha
Sameer:- tune suna hi hoga karma pays back Rajesh ka accident me tune
cassette dikha kar mujhe bhadkaaya tha aur tu khud aaj voice recorder me galti
se fans gayi issi liye itna yaad rakh ki jo dusro ke liye gaddha khodte hai wo khud
usme girte hai aage se saawdhaan rehna ye to main tha aur mera dosti jisne
tujhe kuch nahi kiya kabhi tujhe apna best friend manta tha iss liye kuch nahi kiya
baaki ke log mujh jaise sharif nahi hote hai iss liye aisa karne ka sochna bhi mat
jaate wakt ye bhi keh deta hun ho sake to sudhar jaa accha chalta hun umeed
karta hun ham dobaara kabhi na milenge itna keh kar Sameer aage badh gaya
aur abb piche nahi muda jisko dost maana uska hi diya hua dhokha ne aaj
Sameer ko bohat bada jhatka diya tha Shruti ka dhokhebaazi aur chhal kapat par
vishwas karna usse mushkil ho raha tha lekin usse vishwas karna hi pada wo
yahi sab aatein sochte hue bike se sidhe ghar chala gaya jab wo ghar pahuncha
tab sham ke 7:00 pm ho raha tha usne niche hall me dekha to koi nahi tha wo
sidha apne room ki taraf chala gaya Sameer jab apne room me pahuncha to
Priya ko apne room me dekh kar chaunk gaya jab Sameer room ke andar aaya
tab Priya ne naraajgi aur gusse se kaha
Priya:- paagal ho kya koi iss tarah se jaata hai kya maine kitna bulaaya tha
tumhe picche se lekin tum to sunte hi nahi aur mera phone bhi le gaye phone bhi
nahi kar paa rahi thi jaante ho kitna pareshaan ho gayi thi main Priya ki aawaj me
naraajgi aur thoda sa gussa to thaa hi lekin ek alag baat bhi tha Priya ki baato
me jo Sameer ne mehsus kiya apnatwa Priya ka uske liye fikar karne se gusse
me bhi usko sukoon mil raha tha Sameer ne Priya ko dekh kar muskuraya aur
kaan pakad kar dhire se kaha
Sameer:- sorry
Priya:- baar baar galti karte ho aur fir sorry kehte ho Priya ne naraajgi se kaha
Sameer:- tum maaf kar deti ho issi liye galti karne me bhi alag hi maja hai
Sameer ne hanste hue kaha aur bed par jaakar Priya ke paas baith gaya
Priya:- to fir isss baar tumhe maafi nahi milega Priya ne naarajgi ko jaari rakhte
hue kaha Sameer ne hans kar jawaab diya wo jaanta tha ki Priya usse jhutha
naarajgi dikhaa rahi hai
Priya:- tumhe kitni baar rukne ko bola tha lekin tumne ek baar bhi meri baat nahi
suna jaante ho kitna dar gayi thi main iss baar Priya ne sach mei naaraj ho kar
Sameer se sikaayat kiya
Sameer:- kya karta yaar baat hi tumne aisa kaha tha gusse par control hi nahi
hua sach me bohat gira hua kaam kiya hai Shruti ne best friend manta tha usse
wo kabhi aisa karegi au raise dhokha degi kabhi socha nahi tha Sameer ne dukh
bhari aawaj me kaha
Priya:- haan bohat bura lagta hai jab apna bohat hi karib ke insaan jise ham apna
maante hai wo hi hame dhokha dete hai tab bohat bura lagta hai Priya ne
Sameer ko samjhaate hue kaha ye baat kehte wakt Priya ko Karan ki yaad aaya
iss baar Priya ko bura lagne se jyada Karan ke liye gussa aur nafrat bhare
feeling aa raha tha Sameer ne Priya ka iss baat ka koi jawaab nahi diya wo kuch
der chup hi raha achanak Sameer ko kuch yaad aaya aur usne Priya se pucha
Sameer:- wo recording sun kar to yahi lagta hai ki tumhe bohat pehle se Shruti ki
assliyat ke bare me pata tha to fir tumne mujhe pehle ye baat kyu nahi kaha
Sameer ne Priya ko dekhte hue pucha Sameer ki baat se pata chal raha tha ki
usko Priya ka usse baat chupaana bilkul bhi accha nahi lag raha tha
Priya:- bohat pehle hi bataane ka socha tha lekin ye soch kar nahi bataya ki tum
mujh par vishwas nahi karoge aur mujhe hi galat samjhoge main sahi wakt ka
intejaar kar rahi thi
Sameer:- kisne keh diya ki main tumhaari baato ka vishwaas nahi karta jab
mujhe apni bhool ka ehsas hua hai aur tumhaare bare me acche se jaana hai tab
se hi tum par vishwaas karne laga tha tumhaari baato ka vishwas karke hi to
tumse koi sawal kiye bina Shruti se baat karne chala gaya tha dost me abb tum
Rajesh aur Mahesh hi hai jis par main puri tarah se bharosha kar sakta hun
Priya:- chhod ye baatein aur ye bataao ki tumne Shruti se kya baat kiya? Priya
ne baat ko badal kar pucha wo Sameer se naraajgi ka acting karte hue bhul hi
gayi thi sabse jaruri baat puchna Sameer ne bhi ek gehri saans liya aur saari
baat Priya ko suna diya saari baat sunne ke baad Priya ne kaha
Priya:- matlab usko abhi tak lagta hai ki jo usne kiya hai accha kiya hai Priya ne
iss baar thoda gusse me kaha
Sameer:- han aaj fir se pata chala mujhe ki maine kitna bada galti kiya tha sorry
once again Sameer ne fir se dil se Priya se maafi maanga
Priya:- sorry kis baat ki abb tumne kya kiya Priya ko sach me Sameer ki maafi
maagne ki wajah pata nahi chala
Sameer:- college me maine bohat badi galti kiya tha Shruti ka galtio me bhi saath
de kar aaj bhi yaad aa raha hai wo pal jab tumne Shruti ke bare me mujhse
sikaayat kiya tha lekin maine apna dosti nibhaa kar tumhaari baato ko ignore kar
diya aur iske baad main anjaane me bhool karta raha aur aaj hamara ye haal hai
maine Shruti ki galtiyo me bhi uska saath dekar bohat galat kiya Sameer ne
afsos aur gusse ke saath kaha
Priya:- fir tum puraani baat lekar baith gaye maine iss baat ke liye tumhe pehle hi
maaf kar diya hai main jaanti thi iss shaadi ki wajah Shruti hai aur tum uska
mohra tum se main pehle nafrat karti thi aur tumhaare saath shaadi ho jaane ke
baad wo nafrat aur badh gaya lekin jab pata chala ki tumne anjaane me ye bhool
kiya aur jab tumne bohat baar dil se maafi maanga tab maine tumhe maaf kar
diya Priya ki baat sun kar Sameer ko fir ek baar raahat mila
Sameer:- thanks once again iske baad Sameer aur Priya dono ke bich
khaamoshi chaa gaya kuch pal chup rehne ke baad Sameer ne kaha
Sameer:- abb jaake saari maamla samajh me aaya Shruti ka attraction junoon
aur ego hai jisne usse ye sab karne par majbur kiya usse mujhse pyar nahi
attraction hua tha mujhe paana uska junoon tha agar wo mujhse pyar karti to wo
mere feelings bhi samajhti bas apna hi feelings mujh par nahi dikhaati mere baat
ko bhi samajhti ye bhi jaane ki koshish karti ki main uske bare me kya sochta hun
lekin nahi uss par junoon sawar ho gaya tha mujhe har haal me pane ki aur usne
tumhaare saath jo bhi kiya wo uska ego tha chhoti si jhagada ko usne ego ke
roop me liya aur itna bada bhool ho gaya mujhse Sameer ne Shruti ke saari
saajish ko kuch lines me bata diya
Priya:- hmm sach keh rahe ho
Priya:- Sameer agar Shruti ne tumse sacche dil se maafi maaga to tum usse
maaf kar doge achanak hi Priya ke dimaag me ye sawaal aaya
Sameer:- nahi wo kabhi apni galti ko nahi maanegi aaj maine mehsus kiya ki
uska soch hi aisa hai ki usse lagta hai ki jo bhi wo karti hai wohi thik hai baaki
sab galat uska ye soch kabhi nahi badlega aur mujhe aise soch se nafrat hai iss
baar maine usse aise hi chhod diya wo hi bohat hai uske liye warna koi mere
saath itna bada dhokha karta to main uska bohat bura haal kar deta kisi time me
usse main apna best friend manta tha issi liye usse kuch nahi kiya abb usse dosti
tod liya hai shaayad yahi uske liye yahi sahi saja hai Sameer ne bhi apna jawaab
diya kuch hi pal me wo Shruti ko bohat acche se jaan gaya tha Sameer ki baat
sunne ke baad Priya ne koi jawaab nahi diya wo bhi Sameer ki saari baat se
sehmat thi
Sameer:- abb uske bare me koi baat nahi karenge wo ham dono ke liye buri
ateet thi usse bhul jaana hi behtar hai abb usse bhula kar aage badhna hi
samajhdaari hai Priya ne bhi sar ko haa me hilaa kar sehmati dikhaaya Shruti ka
topic band hone ke baad Sameer bhi chup ho gaya Priya ke paas baat karne ke
liye koi topic tha hi nahi Sameer aise hi chup baitha tha ki usse yaad aaya aaj
usse Priya ke saath movie dekhne jaana tha
Sameer:- aaj to ham dono movie dekhne jaane wale the lekin gusse me main
bhul hi gaya ye baat
Priya:- han kuch jyada hi gusse me the bohat gussa hone lage ho aaj kal Priya
ne bhi majaak karte hue kaha wo jaanti thi ki Sameer abb sambhal gaya hai aur
uski baat ka bura nahi maanega Sameer ko aise udaas dekh usne socha ki
maahaul ko thik kiya jaaye
Sameer:- kya karta haalat hi aise ho gaye the ki gussa control nahi kar paa raha
tha promise karta hun aage se aise bina matlab gussa nahi karunga Sameer ne
maafi maangte hue kaha
Priya:- fir baad me ye mat kehna ki promise todne ke liye kiye jaate hai Priya ne
fir hanste hue kaha Sameer ko bhi pata chal gaya ki Priya uske saath majaak kar
rahi hai iske baad Sameer ne bhi hanste hue kaha
Sameer:- abb tum mujhse flirting karne lag gayi ho Sameer ki baat se Priya ek
dam se chup ho gayi fir kuch soch kar usne kaha
Priya:- han kar rahi hun kya kar loge tum? Priya ne bhi majaak me Sameer ko
challenge kiya
Sameer:- to main bhi flirting karna suru kar dunga Sameer ne bhi apna jawaab
diya
Priya:- sach me tumhe flirting karna bhi aata hai? Priya ne Sameer ka majaak
udaate hue kaha
Sameer:- kyu nahi aayega?
Priya:- kyu ki tum ek dam unromantic insaan ho? Priya ka iss baat se Sameer ko
bura lag gaya usne bhi apna jawaab diya
Sameer:- kisi se pyar nahi kiya iska ye matlab nahi ki mujhe flirting karna nahi
aata agar main kisi ko pataane ka sochu ya fir kisi se flirting karu to kisi ko bhi
pata sakta hun josh me Sameer ne jawaab diya usse pata hi nahi chala ki wo
Priya se kya keh raha hai aur baat kaha se kaha jaa raha hai wo to bas Priya ko
jawaab de raha tha
Priya:- accha kisi ko bhi pata sakte ho Priya isse aage kuch kehti josh me
Sameer ne fir kaha
Sameer:- han kisi ko bhi tumhe bhi (josh me Sameer ke dil ka anjaan chaahat
baahar nikal hi gaya ) lekin mujhse tum pyar mat karna agar kiya to pacchtaane
ke alawa kuch baaki nahi rahega jald hi hamaara divorce hone wala hai josh me
Sameer ne apni dil ki anjaan chaahat bol diya Sameer ka ye kehne ke baad
Sameer aur Priya dono ko ehsaas hua ki Sameer ne kya bola hai Priya ko ye
jaan kar to bohat accha laga ki Sameer ke dil me bhi uske liye chaahat aane laga
hai lekin divorce ki baat sun kar uske dil me dard ka ehsaas hone laga dusri taraf
Sameer ka bhi kuch waisa hi haal tha divorce ki baat karte hi usse bhi kuch
accha nahi laga wo bhi abhi tak yahi soch raha tha ki Priya se alag hone ka
khayal se hi kyu usse itna bura lagta hai Sameer aur Priya ke bich bohat der tak
khaamoshi chaa gaya dono kuch bol bhi nahi paa rahe the jaha udaas maahaul
se majaak ka maahaul ban gaya tha abb waha par fir khaamoshi chaa gaya
Sameer ko Priya ke paas baithna bhi abb mushkil lag raha tha wo yahi soch raha
tha ki Priya uske bare me kya soch rahi hogi Sameer Priya ki dil ki haal aur uske
liye feelings se anjaan tha wo to bas yahi dua kar raha tha ki Priya uske bare me
kuch galat na soche aur koi misunderstanding na ho jaaye baat ko badalne ke
liye aur waha se jaane ke liye Sameer ne kaha
Sameer:- itna bhaag daud me ek baat batana bhul hi gaya Rajesh aur Divya
dono ek dusre se pyar karte hai Divya ne Rajesh ka proposal accept bhi kar liya
itna keh kar Sameer Priya ko surprise de kar room se baahar nikal gaya Sameer
ki baat sun kar Priya ko Divya par bohat gussa aaya usse yakin hi nahi aaya ki
Divya ne itni badi baat usse chupaaya usne koi der kiye bina Divya ko phone
lagaya thodi der baad Divya ne phone uthaaya
Divya:- hello
Priya:- hello ki bacchi tu to mujhe bhul hi gayi Priya ki aawaj me thoda gussa tha
Divya:- kya baat kar rahi hai? main tujhe kyu bhulungi aur tu itna gussa kyu hai?
Divya Priya ki iss wakt aur iss tarah se phone karne ki wajah samajh nahi paayi
Priya ka gussa usse bohat ajeeb lag raha tha
Priya:- bohat din ho gaya ek baar bhi phone nahi kiya abb to koi aur mil gaya hai
tujhe phone karne ke liye Priya ne abhi tak apna jhutthi naraajgi jaari rakha aur
Divya se indirectly puch liya
Divya:- jab bhi tujhe phone karti thi tab tu hamesha gusse me rehti thi issi liye
socha kuch din baad phone karungi tera gussa bhi khatam ho jaayega aur acche
se baat bhi karegi aaj kal bohat gusse me rehti hai tu ye bata ki kaun mil gaya
hai mujhe phone me baat karne ke liye Divya ne Priya ki sawaalo ka jawaab diya
lekin apni aakhiri baat ka jawaab usne confuse ho kar diya Priya ka aakhiri baat
usse samajh me nahi aaya
Priya:- abb mujhse bhi chupaayegi mujhe pata chal gaya hai tere bare me sab
kuch Priya ne abb naarajgi ka acting karna band karke Divya se sidha puch liya
Divya:- tu kya keh rahi hai? mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai saaf saaf
bol kya bol rahi hai iss baar chhidhte hue jawaab diya Divya ne
Priya:- yahi ki tera aur Rajesh ka love story Priya ko laga abb baat ghumaane se
koi faayida nahi
Divya:- tujhe kaise pata? achanak se Divya ke mouh se ye baat nikli
Priya:- kaise pata chali ye baat chhod ye bata ki ye sach hai ya nahi?
Divya:- han sach hai thoda dhire se Divya ne kaha
Priya:- congratulations for your new life abb ye bata ki tu mujhse chupa kyu rahi
thi agar mujhe bata deti to kya main tera pyar ka suruwat hone se pehle hi break
up kara deti? Priya ne Divya ko badhaayi dene ke saath sikaayat bhi kiya
Divya:- aisa nahi hai yaar tune ekdam se Rajesh aur mere bare me bataya to
main chaunk gayi thi main tujhe jald hi ye baat bataane wali thi ki tune hi aaj
phone karke puch liya
Priya:- accha thik hai abb detail me bata teri prem kahani kaise suru hua? kisne
kisko propose kiya? aur sab kuch Priya ne utsukta ke saath Divya se pucha
Divya ne bhi Priya ko sab kuch bata diya
Priya:- sach me Rajesh ke roop me tujhe bohat accha ladka se pyar huwa hai
Rajesh se kabhi baat to nahi kiya hai maine fir bhi yakin ke saath keh sakti hun ki
wo tere liye sahi ladka hai aur wo tujhe bohat khush rakhega Divya ki kahani
sunne ke baad Priya ne kaha Priya Divya ke liye bohat khush thi
Divya:- wo to hai Rajesh ne bhi mujhse pyar kiya shaayad meri khush kismat hai
Priya:- nahi khush kismat to tum dono ho Rajesh ko bhi tu mil rahi hai Priya ki ye
baat sunne ke baad Divya ke chehre me muskaan aa gaya kuch der baad wo
boli
Divya:- kaisi hai tu? baato ke dauran tujhse pucchna bhul hi gayi thi
Priya:- main bohat thik hun aur sab kuch thik hai abb Priya ki baat se hi pata chal
raha thaw o kitna khush hai
Divya:- sahi socha tha maine kuch din baad baat karungi to sab kuch thik ho
jaayega tera gussa aur naarajgi sab khatam ho gaya abb ye bata tera Sameer
aur uske ghar walon ke saath kaisa relation hai? koi pareshaani to nahi hai?
Priya:- abbkisi se koi sikaayat nahi sab thik ho gaya hai maine Sameer ko bhi
maaf kar diya hai Priya ne muskura kar kaha lekin ye baat Divya ke liye koi
jhatke se kam nahi tha hadbada kar kaha usne
Divya:- kkya kkaha tune tune Sameer ko mmaaf kar diya hairaani me haklaa kar
kaha Divya ne
Priya:- chaunk mat ek aur jhatka dena hai tujhe I love Sameer jhatka dene ki
baat kehne ke baad hi Priya ne Divya ko ek jordaar jhatka bhi de diya Priya
Divya se apni dil ki baat chupaana nahi chaahti thi Divya ko kuch bolta na dekh
kar Priya ne hi kaha
Priya:- hello hello Divya sun rahi hai tu
Divya:- han sun rahi hun tu sach keh rahi hai kya Divya ko abhi tak Priya ki baato
par vishwaas nahi hua
Priya:- tujh se kyu jhuth bolungi sach hi kaha hai maine
Divya:- tu to kuch din pehle Sameer se itna nafrat karti thi jaise wo tera sabse
bada dushman hai
Priya:- han pehle sach me waisa hi nafrat karti thi lekin abb bohat pyar karti hun
Sameer se
Divya:- aakhir ye naa munmin baat kaise mumkin ho gaya? Divya abhi tak
hairaan th Priya ki baat sun kar uske baad Priya ne bhi apne pyar ke bare me
Divya ko sab kuch bata diya
Divya:- omg itna kuch ho gaya aur tune abhi tak mujhe kuch bataya nahi mujhe
to abhi tak vishwas nahi ho raha hai
Priya:- kal hi to yaha aayi thi thakaan aur bsy hone ki wajah se bata nahi paayi
aur aaj jab fursat mila to tujhe bata diya
Divya:- sach me main tere liye bohat khush hun kitna galat hua that ere saath
Karan ka dhokha aur iss tarah se shaadi lagta hai abb tere acche din aane wale
hai tere papa bhi badal gaye accha hua jo Shruti ka sach Sameer ko pata chal
gaya mujhe bhi yakin nahi ho raha hai ki wo itne niche tak gir sakti hai Divya ko
Priya ke liye khushi ho rahi thi to dusri taraf Shruti par bohat gussa aa raha tha
Priya:- uske bare me baat mat kar yaar jab bhi uske bare me sochti hun to bohat
gussa aata hai
Divya:- accha thik hai bohat acchi khabar sunaayi hai tune abb ye bata ki
Sameer bhi tujhse pyar karta hai kya?
Priya:- yakin ke saath to nahi keh sakti par mujhe lagta hai ki wo bhi mujhse pyar
karta hai Priya ne khushi ke saath kaha
Divya:- sach me bohat haraani ho raha hai college ke time tum dono ek dusre se
kitna nafrat karte the lekin aaj tum dono ke bich bohat kuch badal chukka hai
Divya ne hairaani aur khushi ke saath kaha
Priya:- pyar chij hi aisi hai sab kuch badal deta hai Priya ki baat sun kar Divya ko
hansi aa gaya hasne ke baad usne pucha
Divya:- tum dono ke gharwale maanenge tum dono ke rishte ke liye? Divya ne
abb serious ho kar pucha
Priya:- mere maa aur papa ne to pehle hi maan liya hai mujhe lagta hai ki
Sameer ke parents bhi maan jaayenge
Divya:- kaash aisa hi ho Sameer ko to main acche se jaanti hun wo bohat hi
accha ladka hai lekin uske parents ko nahi jaanti hun
Priya:- kaisi baa tar rahi hai tu? uske parents bhi bohat acche hai Sameer ki galti
ko bhi maan liya tha unhone aur mere saath bohat accha behave kiya hai abhi
tak
Divya:- apne bete ke galti me saath to nahi de sakte hai tujhse unhone acche se
behave kiya iska matlab ye nahi ki tujhe wo apne ghar ki bahu maanenge tu une
ghar ki bahu hokar bhi nahi hai kyu ki tune hi divorce ki baat kahi thi issi liye
shaayad wo tujhse mehmaan ki tarah behave kar rahe hai unhe bhi apni bahu ko
lekar alag hi khwaaish hogi koi padhi likhi aur paise wali shaayad main galat ho
sakti hun lekin main tujhe har tarah ki baat sw waakif Karana chaahti hun main
bhi yahi dua karungi ki tu unke bare me jaisa soch rahi hai wo waisa hi ho
Priya:- tu apni jagah galat nahi hai lekin mujhe nahi lagta ki Sameer ki parents
galat honge kabhi unhe paiso ki laalach karte hue nahi dekha mujhe Sameer ki
maa me apni maa najar aati hai ek paraayi ghar me bhi unhone mujhe apni beti
jaise hi maana hai jab bhi main bore hoti thi tab wo mujhse baat karti thi apni
beta ki jagah bhi mera hi saath diya hai Sameer ki papa ko jab dekha aur jaana
to bas yahi khayal aaya mann me ki kaash mere papa bhi aise hi hote apne
baccho ka hamesha saath dete hai aur jab unse gati hota hai to unhe galti ka
ehsaas bhi karwate hai Priya ne bhi Sameer ke ghar ke bare me apna feelings
bata diya
Divya:- tab to sab kuch thik hai teri baato se lag raha hai ki tu waha bohat khush
rahegi bas Sameer ka tujhse pyar hone ka deri hai
Priya:- mujhe lagta hai abb wo din bhi dur nahi hai Priya ne khush ho kar kaha
wo apne sabhi khusiyon ke bare me sochne lagi bhool ke roop me hui iss shaadi
ne uska jindagi kitna badal diya tha uske dukh khushi me badal gaye aur naye
khushiya bhi mil gayi kuch der aise hi phone me baat karne ke baad Priya ne
phone kaat diya
Dusri taraf Sameer bhi jab apne room me pahuncha tab usne apne mobile ko on
kiya jab usne mobile dekha to wo hairaan reh gaya mobile me 14 missed calls
the aur wo bhi Rajesh ke usne Rajesh ko phone kiya phone uthaate hi Rajesh ne
bhadak kar Sameer se kaha
Rajesh:- abe gadhe phone kyu rakhta hai tu apne paas jab tujhe kisi ka phone
uthaata hi nahi hai
Sameer:- arre cool yaar phone silent me tha aaj din bhar busy tha Sameer ne
Rajesh ko shaant karate hue kaha Rajesh kuch kehne hi wala tha ki Sameer ko
kuch yaad aaya aur usne hanste hue kaha
Sameer:- lekin mujhe bohat hairaani hua ki tune mujhe phone kiya
Rajesh:- kyu tujhe phone nahi kar sakta hun kya?
Sameer:- nahi kar sakta hai lekin mujhe hairaani ho raha hai ki tune mujhe phone
kyu kiya? tujhe Divya se fursat mil gaya kya? main to soch raha tha kit u din raat
bas Divya se hi baat karta hoga phone me Sameer ne hanste hue kaha
Rajesh:- bakwaas band kar Rajesh ne thoda sa chhidhte hue jawaab diya lekin
Sameer ki hansi ki aawaj sunne ke baad wo bhi hasne laga
Rajesh:- accha joke sunaya
Sameer:- joke nahi hai sacchaayi hai pata nahi tujhe kaise fursat mil gaya?
Sameer ne Rajesh ko aur chiddhaate hue kaha
Rajesh:- abb ye joke chhod tujhse jaruri baat karni hai
Sameer:- han bol Rajesh ne serious ho kar kaha to Sameer ne bhi koi majaak
nahi kiya
Rajesh:- subah tune kaha tha ki Priya ne tujhe maaf kar diya hai lekin kyu aur
kaise abhi tak samajh me nahi aaya subah bhi tu kuch bataaye bina hi chala
gaya Rajesh ne confused ho kar pucha Priya ka Sameer ko maaf kar dena ye
baat se Rajesh confused ho gaya tha
Sameer:- abhi tak tu ussi baat par atka hua hai chal batata hun aur fir Sameer ne
saari baat Rajesh ko bata diya apna Priya ke liye anjaan feelings ko chhod kar
wo khud hi sure nahi tha issi liye usne Rajesh ko kuch nahi bataya puri baat
sunne ke baad Rajesh ne kaha
Rajesh:- chal accha hua abb teri life me bhi shaanti aa gaya abb tu suicide aur
paagalon jaisi baat nahi karega Rajesh ne bhi Sameer ka majaak udaa kar kaha
Sameer:- udaa le bhai jitna majaak udaana hai udaa le accha mauka mila hai
Sameer ne bhi hanste hue kaha achanak Sameer ko kuch yaad aaya aur usne
kaha
Sameer:- ek jaruri baat to batana bhul hi gaya Sameer ki baat sun kar Rajesh ko
laga ki Sameer jarur kuch serious baat kehne wala hai
Rajesh:- kya? fir Sameer ne Shruti ke bare me Rajesh ko sab kuch bata diya
Rajesh:- mera shak sahi nikla uski harkat dekh kar mujhe bohat pehle hi uss par
shak ho gaya tha ki wo jarur kuch planning kar rahi hai tujhe bohat baar
samjhaaya lekin tune kabhi nahi maana
Sameer:- kaash maan leta yaar lekin maan nahi paaya teri tarah usse bhi apna
dost manta tha kabhi iss baat ka ehsas nahi hua ki wo iss tarah se dhokha degi
Sameer ne nafrat aur afsos ke saath kaha
Rajesh:- koi baat nahi wakt rehte tujhe uski sachaayi pata chal gaya yahi bohat
hai mann to kar raha hai uss ladki ko acche se sabak sikhaau uss ladki ki wajah
se kitna kuch ho gaya Rajesh ne nafrat ke saath kaha wo bas Sameer se izaazat
lena chaahta tha Shruti ko sabak sikhaane ke liye
Sameer:- nahi yaar chhod de usse abb hame usse koi matlab nahi rakhna hai
abb sab kuch thik ho raha hai usse apna bura ateet samajh kar bhulne me hi
bhalaayi hai dobara agar usne kuch kiya to mujhse bura koi nahi hoga uske liye
Sameer ne bhi nafrat me kaha lekin usne khud ko sambhaal rakha tha Rajesh
bhi Sameer ke liye chup ho gaya aur Sameer ka baat mane ka faisla kar liya
Rajesh:- accha thik hai tu kehta hai to maan leta hun warna main usse kisi bhi
haal me nahi chhodta chal abb phone rakhta hun itna keh kar Rajesh ne call cut
kar diya Sameer ka baat sunne ke baad Rajesh ko bohat gussa aa raha tha aur
wo baat nahi karna chaahta tha Rajesh se baat karne ke baad Sameer ne ghadi
me timedekha to 8:30 pm baj raha tha time dekhne ke baad usko thoda dar
lagne laga aur usne khud se hi kaha
Sameer:- dinner ka time ho gaya hai aaj maa aur papa ko batana hai Shruti ki
assliyat papa kya kahenge unse to baat karne me bhi dar lagne laga hai jo bhi ho
unse baat to karna hi hoga mera koi galti nahi hai jo hoga dekha jaayega itna keh
kar Sameer ne khud ko mentally prepare kar liya maa aur papa ko sacchaayi
bataane ke liye Sameer ne khud ko taiyaar kar liya apne papa se baat karne ke
liye aur niche dinner ke liye chala gaya jab wo niche pahuncha to usne dekha
dining table par pehle se hi uske maa papa aur Priya baithe hai wo bhi aa kar
dining table par baith gaya usne khud hi serve kiya aur jab khaana suru karne hi
wala tha ki Mr Sharma ki baat ne usko rok diya
Mr Sharma:- aaj tu dopahar se kaha tha? Mr Sharma ne thoda gusse ke saath
pucha Sameer ne Mr Sharma se ye sawal ka umeed nahi kiya tha usse laga tha
ki wo kuch nahi bolenge aur usse khud hi Shruti ke bare me batana chaahiye wo
kuch kehne hi wala tha ki Mr Sharma ne usse pehle keh diya
Mr Sharma:- dekh raha hun aaj kal tu bohat ajeeb sa hota jaa raha hai pehle to
ghar se kisi kaam se hi baahar nikalta tha lekin abb tera kadam ek jagah rehta hi
nahi kabhi idhar to kabhi udhar tera behavior bhi dekh raha hun bohat badal
gaya hai tu aur itna keh kar Mr Sharma chup ho gaye wo aur bhi kuch kehna
chaahte the lekin unhone socha ye sahi wakt nahi hai (wo Sameer aur Priya ke
bich ke badlaaw ke bare me puchna chaahte the lekin wo abh puri tarah se sure
nahi the )
Sameer:- aaj dopahar me main Shruti ke ghar gaya tha itna keh kar Sameer
chup ho gaya wo aage ki baat kehne ke liye himmat jutaa raha tha
Mr Sharma:- aur wo kyu?
Sameer:- main Shruti ko bataane gaya tha ki abb ham dono ka shaadi nahi ho
sakta Sameer ki iss baat par Priya ke siwa sabhi hairaan ho gaye Mrs Sharma ko
bhi yakin nahi ho raha tha ki Sameer ne itni jaldi rishte ke liye mana kar diya
khud Sameer ne hi unhe kaha tha kuch din rukne ke liye
Mr Sharma:- kya kahi paagal to nahi ho gaya tu?abb tere dimaag me kya chal
raha hai? hamesha kuch na kuch gadbad karta hi hai Mr Sharma ki baat me
hairaani aur gussa tha Sameer ka ye shaadi ko todne ki baat unke liye kisi
dhamaake se kam nahi tha fir Sameer ne apne papa ko bina ruke saari baat bata
diya Mr and Mrs Sharma bhi dhyan deke saari baat sun rahe the saari baat
sunne ke baad Mr Sharma ne kaha
Mr Sharma:- ye baat hai itna keh kar wo chup ho gaye aur kuch sochne lage
Sameer unke jawaab ka intejaar me tha kuch der intejaar karne ke baad bhi jab
Mr Sharma ne kuch nahi kaha tab Sameer hi bol pada
Sameer:- aapne kya faisla liya?
Mr Sharma:- abb tune hi faisla le liya to main kya kahu?
Sameer:- maine galat to nahi kiya na?
Mr Sharma:- galat to nahi kiya lekin thik bhi nahi kiya Mr Sharma kuch der
sochne ke baad bole
Sameer:- kya thik nahi kiya? Sameer ne dhire se pucha
Mr Sharma:- tune ye thik nahi kiya ki tu sahi aur galat ka pehchaan nahi kar
paaya tu hamesha kisi ko bhi pehchaane me galti karta hai Priya ko galat tarah
se pehchaana aur choti si baat ke liye badla lene chala gaya aur Shruti jo tere
peeth picche itna kuch karti rahi aur tujhe kuch pata bhi nahi chala ek baar bhi
shak tak nahi hua aur ussi se shaadi karne jaa raha tha sabse pehle to insaan ko
pehchaana sikh bura wakt me saccha dost hi kaam aata hai aur accha wakt me
bura dost ki sangat bhi mushibat me daal sakta hai ye baat to tune mehsus kar hi
liya hai abb apne galti se kuch sikh Mr Sharma ne Sameer ka galti ke saath
saath unhe apne hi tarika se samjhaane ki koshish kiya Sameer ko bhi Mr
Sharma ka baat sahi laga kuch der chup rehne ke baad usne kaha
Sameer:- thik hai papa aage se khayal rakhunga
Mr Sharma:- iss baar tera galti nahi tha aur aage se aisi galtiya karne ka sochna
bhi mat pehle bhi maine tujhe kuch nahi kiya soch raha hun sahi kiya ya nahi
Sameer:- aage se koi shikaayat ka mauka nahi dunga Sameer ne dhire se kaha
lekin khud par yakin ke saath kaha Sameer ki iss baat ka Mr Sharma ne koi
jawaab nahi diya aur waha maujud sabhi ko dekh kar kaha
Mr Sharma:- abb khaana suru karte hai pehle hi thanda ho gaya hai iske baad
kisi ne kuch nahi kaha sabhi chup chaap khaane lage khaana khaate wakt Mr
and Mrs Sharma chor nighaao se Sameer aur Priya ko dekh rahe the Sameer
aur Priya iss baat se anjaan kabhi kabhi ek dusre ko chor nighaao se dekhne me
vyast the Mr Sharma dono me aaye badlaaw ko saaf mehsus kar rahe the wo
kuch kehna chaahte the lekin fir kuch soch kar chup ho gaye Sameer thoda late
khaa raha tha Mr Sharma apna khaana khatam karne ke baad apne roomme
chale gaye Priya Sameer ka khaana khatam karne ke intejaar me hire dhire khaa
rahi thi lekin Sameer ko bohat dhire se khaate dekh Priya aur intejaar nahi kar
saki Mrs Sharma bhi waha par thi aur Priya nahi chaahti thi ki unhe uske pyar ke
bare me abhi kuch pata chale Priya bhi apna khaana khatam karke apne room
me chali gayi Sameer ko late khaaa dekh Mrs Sharma ne kaha
Mrs Sharma:- kya hua Sameer bohat dhire se khaa raha hai
Sameer:- aaj jo kuch bhi hua uske bare me soch raha hun
Mrs Sharma:- uss baat ko bhul jaa bas itna samajh le ki wo Shruti teri jindagi me
manhoos ateet thi uski wajah se hi ye sab hua hai usko bhul jaa aur aage ka
soch Mrs Sharma ki baato me Shruti ke liye behad nafrat tha
Sameer:- bhulaana hi padega ye sab lekin socha nahi tha wo aisa bhi kuch kar
sakti hai maa ek baat puchna tha aapse papa mujhse jyada naraaj to nahi hai na
Mrs Sharma:- unhe acche se jaanti hun aaj wo bilkul bhi naraaj nahi the bas tere
ghar se gaayab hone ki wajah se hairaan the aaj wo dopahar me hi clinic se
aaye the aur tujhe gaayab dekh kar unhe ajeeb laga aaj pehli baar unhone kaha
kit era koi galti nahi hai sab kuch thik ho jaayega aur bohat jald unka naarajgi bhi
khatam ho jaayega Mrs Sharma ne Sameer ko samjhaate hue kaha
Sameer:- koshish karunga aage se unhe kabhi naraaj nahi karne ka uske baad
Sameer ne Mrs Sharma ke saath kuch der baat kiya aur khana khatam karke
apne room me chala gaya maa se baat kar ke wo bohat halka mehsus kar raha
tha Mr Sharma ne naarajgi me hi sahi aaj kuch der unhone Sameer ke saath
baat kiya iss baat ka Sameer ko khushi bhi ho raha tha room me kuch der
baithne ke baad wo bore hone laga aur wo chhat me chala gaya iss umeed me ki
Priya bhi chat me aayegi Priya se baat karne me usse bohat accha lagta tha aur
wo ye bhi bhul gaya tha ki kuch din pehle usne Priya se dur rehne ke bare me
socha tha chhat me pahuchne ke kuch der baad umeed ke mutaabik Priya bhi
chat me aa gayi wo Sameer ke paas aayi aur Sameer ko dekh kar boli
Priya:- kya soch rahe ho?
Sameer:- nahi to kuch nahi Sameer Shruti ke bare me hi soch raha tha lekin
Priya ko nahi bataya wo Priya se fir se iss topic par baat nahi karna chaahta tha
Priya:- lekin tumhaara chehra bata raha hai ki tum kuch soch rahe ho kya tumhe
papa ki baat ka bura laga? Priya ne bas andaaja lagaya lekin Sameer ko uski
andaaja par bohat hairaani hua baat kuch aur thi aur Priya ka soch kuch aur
kuch der baad usne kaha
Sameer:- nahi papa ka baat ka kyu bura maanunga galti mera hai itna to hak aur
jimmedaari hai unke paas ki galti par sahi raasta dikhaaye
Priya:- bohat positive soch hai tumhaara Priya ne hanste hue kaha Sameer ne
uski iss baat ka jawaab hans kar hi diya
Priya:- agar sach kahu to tumhaare papa aaj tumse naraaj nahi the Priya ki iss
baat par Sameer ko bohat hairaani hua
Sameer:- kaise keh sakti ho tum ye baat? hairaani me Sameer ne pucha
Priya:- uncle sach hi kehte hai tum kisi ko acchi tarah se pehchaan nahi paate ho
tumhe bilkul bhi mehsus nahi hua ki uncle aaj naraaj nahi the uncle jab bhi tumse
naarajgi se baat karte the tab hamesha unke chehre me gussa hota tha lekin aaj
unki aawaj me bilkul bhi gussa nahi tha unki baato se mujhe aisa lag raha thaki
unhone tumhe maaf kar diya hai lekin iska ehsas tumhe hone nahi diya aaj pehli
baar uncle ne tumse itni der baat kiya tha aur unki baato me main ek baar bhi
gussa mehsus nahi kiya wo tumhe samjhaa bhi rahe the aisi galtiyan dobaara na
karne ke liye Priya ki baat sun kar Sameer ko bhi laga ki wo sahi keh rahi hai ye
uske liye bohat khushi ki baat tha khush ho kar usne kaha
Sameer:- kaash aisa hi ho sab kuch thik ho raha hai abb bas papa mujhe maaf
kar de Sameer ki iss baat ka Priya ne koi jawaab nahi diya wo Sameer ko khush
dekh muskura rahi thi
Sameer:- maana padega tumhe sach me bohat kuch soch leti ho Sameer ne
Priya ka taarif karte hue kaha
Priya:- fikar mat karo mujhe follow karte jao tum bhi bohat kuch sikh loge Priya
ne hanste hue kaha jawaab me Sameer bhi hasne laga
Sameer:- aaj movie dekhne ka plan cancel ho gaya kya ham kal movie dekhne
chal sakte hai sham me? Sameer ne Priya se request kiya
Priya:- thik hai chalenge lekin sham me hi kyu?
Sameer:- subah se sham tak to main office me rahunga aur bhulo mat tum bohat
hi busy aur mehnati naujawan se baat kar rahi ho Sameer ne aakhiri line hanste
hue kaha Priya se baat karte karte uska mood bhi badal gaya tha aur hamesha ki
tarah hansi majaak ka mood me aa gaya
Priya:- oh sorry to fir main kisi busy aur hard working insaan ko disturb nahi
karungi Priya ne bhi Sameer ki baat ka jawaab diya jhutha naarajgi dikhaa kar
Sameer:- arre majaak kar raha tha abhi itna bhi busy nahi hun Sameer jaanta tha
ki Priya ne majaak me aisa kaha hai lekin Sameer ke paas koi accha sa jawaab
nahi mila to usne ye keh diya
Priya:- main bhi to majaak kar rahi thi Priya ne haste hue kaha wo kuch iss tarah
se hans rahi thi aur khush ho rahi thi jaise usne Sameer ko iss khel me hara diya
ho Sameer bhi Priya ka hansi dekh khush ho gaya aur Priya ke saath hasne laga
Agle din shaam ke karib 5:00 baje me Sameer aur Priya cinema hall pahunche
waha jaakar wo film ke bare me discuss karne lage
Priya:- kaunsa film dekhenge? Priya excited ho kar boli
Sameer:- dekh lenge koi nayi film
Priya:- koi choice?
Sameer:- kaisa choice? Sameer ko Priya ki baat samajh me nahi aaya
Priya:- matlab kis type ki movie dekhenge? action romantic comedy horror sci-fi
ya koi aur?
Sameer:- ohh to ye puch rahi thi tum ruko sochta hun 1 minute kuch der sochne
ke baad Sameer ne kaha
Sameer:- chalo koi action movie dekhte hai jab bhi movie dekhta hun action
movie hi dekhta hun romanctic movies bakwas lagta hai horror film totally
unrealistic hota hai aur thoda bohat illogical bhi comedy film accha lagta hai
thoda bohat lekin action jitna maja nahi aata sci-fi film me technology hi accha
lagta hai story nahi Sameer ne apne movie ke choice ke bare me Priya ko short
cut me bata diya
Priya:- kisne kaha romantic movies bakwaas hota hai? Priya ne Sameer ko
ghurte hue aur thoda gussa hone ka naatakkarte hue kaha
Sameer:- mujhe accha nahi lagta
Priya:- tumne last time romantic movie kab dekha tha? Priya ki baat sunne ke
baad Sameer ne yaad karne ki koshish kiya jab usse yaad nahi aaya to usne
kaha
Sameer:- yaad nahi aa raha hai ek baar dekha tha lekin kab dekha tha wo pata
nahi hai lekin itna bura aur bakwas laga ki kabhi dekhne ka mann hi nahi hua
uske baad Mahesh ko dhokha mila aur mera bhi pyar par se vishwaas utth gaya
Sameer ne romantic movie pasand nahi hone ki wajah Priya ko bataya
Priya:- tumne uss wakt shayad koi ghatiya movie dekha hoga Mahesh ke saath
dhokha hua ye bohat galat hua lekin iska matlab ye nahi ki duniya me pyar naam
ki koi cheej hai hi nahi aaj to tumhe romantic movie hi dekhna padega Priya ne
Sameer ko order diya
Sameer:- lekin mujhe pasand nahi hai aisi movie dekhna aur tumne to mujhe
option bhi diya tha kisi bhi genre ka movie dekhne ke liye Sameer ne bachne ke
liye kaha
Priya:- main tumhe koi option nahi de rahi thi main to bas tumse tumhaara
pasand jaana chaahti thi aur tum mujhe movie dikhaane laaye ho to tumhe mera
pasand ka hi movie dekhna hoga Priya ne iss tarah se kaha jaise uska ye faisla
aakhiri faisla hai
Sameer:- tumhe romantic movies itna pasand kyu hai? aakir romantic movies me
hota kya hai? Sameer jaanta tha ki wo Priya se baato hi baato me lad kar jeet
nahi sakta aise me wo Priya ko uljhan me daal kar romantic movies se bachne
ka soch raha tha
Priya:- romantic movie me kya hota hai? ye pucho ki kya nahi hota hai ek accha
sa love story feeling emotions aur insaan ki andar ki acchaayi aur insaaniyat aisa
lagta hai jaise pyar me kitna taakat hota hai pyar ko pane ke liye ham kisi se bhi
kaise bhi haalat se lad jaate hai apne pyar ke liye ham kya kuch nahi karte yahi
saari baatein dikhaata hai ki pyar insaan ki jindagi me kya hai jindagi ke acche
aur bure pal dekhne ko milte hai aur bohat kuch jise dekh kar dil khush ho jaata
hai Priya ne Sameer ki baato ka jawaab diya Sameer Priya ki baat sunne ke
baad andar hi andar muskuraata hai aur kehta hai
Sameer:- (in his mind) sach me iss ladki se jeet paana bohat mushkil hai mujhe
mere hi khel me ulja diya aur jo bhi kaha bilkul sahi kaha Sameer yahi sab soch
raha tha ki Priya ki baaton ne usse uske soch se baahar nikaala
Priya:- abb tum ye bataao ki tumhara action film me aisa kya hota hai jiski wajah
se tumhe action film itna pasand hai?
Sameer:- bohat kuch hota hai action scene dekhne ka ek alag hi maja hota hai
bohat accha lagta hai jab hero villains ka band bajaata hai action film dekhne ke
baad andar se ek josh paida hota hai aisa lagta hai duniya me aisi koi bhi cheej
nahi hai jo ham nahi kar sakte hai where there is a will there is a way ye kahawat
to tumne suna hi hoga action movies me kisi bhi insaan ke sangharsh(struggle)
ko dikhaaya jaata hai aisi movie dekh kar ye sikh milta hai ki jitney bhi bure
haalat kyu na ho agar ham himmat nahi haarenge to kisi bhi haalaat me jeet
sakte hai Sameer ne bhi Priya ko uske sawaal ka jawaab diya
Priya:- ye sab to thik hai lekin tumhe aaj romantic movie hi dekhna padega aur
baat ghumaane se koi faaida nahi
Sameer:- nahi movie dekhenge to sirf action movie hi dekhenge Sameer ne
mehsus kiya tha ki Priya abb thoda sa chhidhne lagi hai Sameer thodi der Priya
ki haalat ka majaa lena chaahta tha
Priya:- agar tumne meri baat nahi maana to tum akele hi jao action movie
dekhne main ghar laut jaati hun iss baar Priya sach me gussa ho kar boli
Sameer:- ye to blackmailing hai Sameer ne hanste hue kaha
Priya:- han ye blackmailing hi hai abb tum kaho kya faisla hai tumhaara? Priya
ne aur bhi jyada chhidhte hue kaha Sameer ko bhi laga abb Priya ko aur jyada
chhidhaana thik nahi hai
Sameer:- jo hukum sarkar aapke saamne hamara kuch chalta hi nahi Sameerne
niraash hone ka naatak kiya aur ek accha sa romantic movie ka poster dekh kar
ticket kharidne chala gaya kuch hi der me wo 2 tickets le kar aaya
Sameer:- ticket le liya hai chalo movie dekhte hai
Priya:- tum naaraj to nahi ho? Priya ne Sameer ke chehre ko dekh kar pucha
jawaab me Sameer ne muskura kar Priya ko dekha aur kaha
Sameer:- kya lagta hai tumhe?
Priya:- tumhaare bare me kuch keh nahi sakti kuch der pehle naraaj the abb
muskura rahe ho
Sameer:- main bilkul bhi naraaj nahi hun bohat pehle hi tumhaara baat maan liya
tha jab tumne romantic movies ko itne acche se describe kiya main to bas majaa
lene ke liye tumhaari baat ko taal raha tha Sameer ki baat sun kar Priya ko bohat
accha laga ki Sameer uski baat maan gaya aur wo apni iccha se movie dekhne
aa raha hai
Priya:- to fir chale?
Sameer:- han chalo bohat dino baad romantic movie dekhne jaa raha hun agar
ye movue bhi bakwas laga to fir kabhi nahi dekhunga Sameer ne Priya ke
saamne apna shart rakha
Priya:- accha thik hai pehle ye movie to dekh lo agar tumhe pasand nahi aaya t
aage se tumhe kabhi nahi kahungi romantic movies dekhne ke liye Priya ne itna
kaha aur cinema hall ki taraf chalne lagi Sameer bhi saath saath aa gaya kuch hi
der me dono apne apne seat par baith gaye Sameer aur Priya kea as paas jyada
tar seat khaali tha seat me baithne ke karib 5 minute baad movie start hua movie
start hote hi dono ka dhyaan movie ki taraf chala gaya kuch der movie dekhne ke
baad dono ko movie interesting lagne laga Sameer bhi abb hyan deke movie
dekh raha tha uske chehre se saaf pata chal raha tha ki usko bhi movie dekhne
me majaa aa raha tha thodi der me Priya ka najar movie se hat kar Sameer par
aa gaya usne dekha ki Sameer bohat maje se movie dekh raha hai ye dekhne ke
baad uske chehre me bhi ek pyari si muskaan aa gaya fir usne apna najar
Sameer se hata kar waapas movie ki taraf kiya dono hi maje se movie dekhte
rahe aur dono movie me hi vyast ho gaye aas paas kya chal raha hai isse dono
ko kuch matlab nahi tha kuch der baad interval hua tab jaa kar Sameer aur Priya
waapas hosh me aaye interval ke kuch der bitne ke baad bhi dno ek dusre se
kuch nahi bole
Priya:- kaisi lagi movie? khaamoshi ko tod kar Priya ne pehla sawaal kiya
Sameer:- accha hai
Priya:- sirf accha hi?
Sameer:- bohat accha movie ke bare me kya kahu kuch samajh me hi nahi aa
raha hai bohat hi kam movie dekha hai maine aisa abb Sameer ne thoda khul kar
kaha
Priya:- hmm bohat accha movie hai kitna pyar hai hero aur heroine me sach me
inn dono ka pyar dekh kar dil khush ho gaya aisa lagta hai dekhti hi jaau
Sameer:- bohat hi pyar bhara pal aur romance tha dono ke bich vishwaas nahi
hota aaj ke duniya me bhi aisa pyar hota hai par interval se pehle kuch scene
dekh kar aisa laga ki shaayad dono bicchadne wale hai saccha pyar karne walo
ke saath hi aisa kyu hota hai bohat logo ki kahani suna hai job hi saccha pyar
karte hai unka prem kahani adhura reh jaata hai mujhe lagta hai iss kahani me
bhi aisa hi kuch hoga ek to saccha pyar kisi ko bohathi mushkil se hota hai aur
jab bhi hota hai wo pyar adhura reh jaata hai aisa lagta hai pyar karna koi
gunaah hai Sameer ne apne dil se pyar ke bare me do shabd kaha jo usne
mehsus kiya
Priya:- sahi keh rahe ho tum jyadatar sacche prem kahani adhura hi reh jaata hai
pyar ka izahar ka inkar hone ka dar aur haalato ki wajah se jyada tar saccha pyar
kabhi apne manjil tak nahi pahunch paata dekhte hai iss kahani ka manjil kya hai
kaash dono kabhi na bicchde Sameer aur Priya dono ko movie itna pasand aaya
ki dono iss kahani ko sacchaayi ke roop me lekar iss bare me baat karne lage ye
jaante hue bhi ki ye movie sirf ek kaalpanik kahani hai iss movie ko dekhne ke
baad Sameer ki jubaan se bhi pyar ke bare me bohat saari baatein nikla kuch der
baad movie waapas chaalu hua Sameer aur Priya dono ne iss baar bhi apna
saara dhyan movie ki taraf hi lagaya movie dekhte wakt situation ke mutaabik
dono ke chehre ke expression bhi badalta gaya kuch der baad movie bhi khatam
ho gaya movie khatam hote hi Sameer ne khushi se Priya ki taraf dekhte hue
kaha
Sameer:- aakhir me dono mil hi gaye bich me aise haalat aa gaye the mujhe to
aisa laga raha tha ki dono abb hamesha ke liye bicchad jaayenge lekin aakhir me
dono mil hi gaye paisa vasool movie tha sach me movie dekh kar maja aa gaya
Sameer ne bohat khusi jaahir karte hue kaha
Priya:- sach me hero aur heroine ke bich saccha pyar tha dono aakhiri wakt tak
apne pyar ke liye ladte rahe dono ke pyar ki taakat ne dono ko mila hi diya sach
me majaa aa gaya ye movie dekh kar
Sameer:- thanks a lot agar tumne ye movie dekhne ke liye jidd nahi kiya hota to
main bhi itni acchi movie miss kar deta Sameer abhi tak bohat khush tha movie
dekhne ke baad
Priya:- dekha maine kaha tha na romantic movies bohat accha hota hai tum hi
jidd karrahe the action movie dekhne ke liye Priya ne kuch iss tarah se kaha jaise
usko khud ke decision par bohat garv tha
Sameer:- iss movie me action scene aur thrill bhi tha Sameer ne bhi apni baat
kaha
Priya:- han lekin thrill aur action se jyada romance tha Priya ne bhi Sameer par
palatwar kiya
Sameer:- han keh sakte hai jo bhi ho bohat accha movie tha aur dekh kar bohat
majaa aaya Sameer ke paas abb koi point nahi bacha tha kehne ke liye itna keh
kar Sameer aur Priya dono cinema hall se baahar nikal gaye aur parking me
apne bike ki taraf chale gaye Sameer bike par baithne hi wala tha ki usse kuch
yaad aa gaya aur usne Priya se kaha
Sameer:- lekin ye to sirf ek movie tha yaani ki ek kaalpanik kahani isme writer jo
chaahta hai wohi ending hota hai real life me aisi kahani ka ending sad ending hi
hota hai
Priya:- han ye bas ek kaalpanik kahani hi thi lekin iss movie dekh kar ek baat
sikh sakte hai ki agar ham kisi se pyar karte hai hai to sacche dil se pyar karna
chaahiye aur apna pyar hamesha nibhaana chaahiye pyar ka matlab hamesha
paana hi nahi hota pyar nibhaana sabse badi baat hoti hai aur yahi ek sacche
pyar karne walo ki khaasiyat hota hai Priya ne bhi apni baat kahi
Sameer:- sahi kaha tumne lekin soch kar dar bhi lagta hai ki agar koi kisi se
saccha pyar karta hai aur fir uska pyar adhura reh jaata hai to kitna dard hota
hoga
Priya:- han dard to bohat hota hai lekin ek sukoon bhi milta hai ki usne uske pyar
ki khushi ke liye apne pyar ka kurbaani diya hai ya fir usne hamesha apne pyar
nibhaaya hai aur haalat ke saamne majbur ho gaya aur usko uska pyar na mila
apne pyar ki mitthi yaadein se jeete hai aashiq apne aage ki jindagi pyar karne
ka bhi ek alag hi maja hai Priya ne Sameer ko samjhaate hue kaha Sameer abb
kuch nahi bola usse samajh me hi nahi aa raha tha ki usse aage kya bolna
chaahiye wo chup hi raha
Priya:- Sameer kya tum uss film ki hero jaise kabhi kisi se pyar kar sakte ho?
Priya ne Sameer ki feelings ko jaane ke liye dilchaspi se pucha
Sameer:- shaayad nahi mujhe pyar par utna yakin nahi hai aur dil toot jaane ki
dar bhi hai Priya ko samajh me aa gaya ki Sameer ko pyar karne se abhi bhi dar
lag raha hai Mahesh ke saath jo bhi hua tha wo abhi tak uss baat ko nahi bhula
paaya tha Priya ko ye to pehle hi pata chal gaya tha ki Sameer ke dil me bhi
Priya ke liye pyar ka suruwat ho gaya hai lekin Sameer iss baat ko mane ke liye
taiyar hi nahi hai Priya ko samajh me aa gaya ki abb usse Sameer ko uske pyar
ka yakin dilaana hoga wo jaanti thi ki wo aisa kar sakti hai
Priya:- agar koi ladki uss film ki heroine ki tarah tumse pyar kare to?
Sameer:- agar koi mujhe uss tarah se saccha pyar karegi aur mere feelings ko
bhi samjhegi to main kabhi usse khud se dur jaane nahi dunga usse bhi waise hi
pyar karunga jaise wo mujhse karti hai Sameer ne apne dil se ye baat kaha jab
bhi usne ladki ki jikr kiya tha uske simaag me Priya aa gayi lekin agle hi pal usne
ye khayal jhatak diya Priya ne jab Sameer ki ye baat suni wo bohat khush ho
gayi yahi to wo baat tha jo wo Sameer ke mouh se sunna chaahti thi
Sameer:- lekin aisi koi ladki nahi hogi jo mujhse iss tarah se pyar kare Sameer
ne kuch der baad khaamoshi ko tod kar kaha
Priya:- shayad koi hai tumhaare aas paas hi jiska pyar abhi tak tumne
pehchaana nahi hai Sameer ko Priya ki baat bilkul bhi samajh me nahi aaya
Priya ki baat se uske dimaag me alag alag khayal aaya wo sochne laga
Sameer:- (in his mind) kya keh rahi hai ye kaun mujhse pyar karti hai aur mere
aas paas bhi hai Sameer yahi sab soch raha tha ki uske dimaag me ek aur
khayal aaya
Sameer:- (in his mind) mere aas paas to abhi Priya hi hai kahi iska matlab Priya
mujhse pyar to nahi karti nahi nahi main bhi pata nahi kya kya soch raha hun do
chaar din aise hans ke baat karne ka matlab pyar nahi hota pata nahi main kya
kya soch raha hun shaayad Priya mujhse majaak kar rahi hai Sameer yahi sab
soch raha tha tab tak Priya ko bhi ehsas ho gaya tha ki usne jaldbaazi me kya
keh diya hai usse bhi laga ki ye baat indirectly hi sahi usnebohat jaldi keh diya
hai baat sambhaalne ke liye usne kaha
Priya:- kya soch rahe ho?
Sameer:- kuch nahi Sameer ne ye keh to diya lekin uski aawaj se hi pata chal
raha tha ki wo uljha hua hai
Priya:- nahi kuch to soch rahe ho
Sameer:- tumhaari kahi baato ke bare me hi soch raha hun kaun mujhse pyar
karti hai aur wo mere aas paas bhi hai mujhe to koi aisi ladki dikhi hi nahi
Sameer ne apna uljhan ki wajah bata diya
Priya:- maine to wo baat aise hi keh diya tha mera matlab ye tha ki kabhi
hamaare aas paas aise bhi log hote hai jo hame chaahte hai lekin kisi dar ki
wajah se keh nahi paate bas itna kehna chaahti thi ki agar hame ye ehsas ho
jaaye ki koi hamse sacha pyar karta hai to uska saath kabhi nahi chhodna
chaahiye Priya ne Sameer ko samjhaaya Sameer ko kuch baatein samajh me
aaya aur kuch nahi
Sameer:- lekin Sameer kuch kehne hi wala tha ki Priya ne usse bich me hi rok
kar kaha
Priya:- lekin wekin kuch nahi ghar bhi jaana hai aur pehle hi ahut late ho gaya hai
Priya ne Sameer ki sawalo se bachne ke liye kaha wo jaanti thi ki Sameer abhi
bhi confused hai aur wo apna saara confusion Priya se puch kar hi rahega aise
me Sameer kuch aisa sawaal bhi puch sakta tha jiska jawaab Priya ko dena
shaayad mushkil ho jaaye Priya ki baat sunne ke baad Sameer ko bhi mehsus
hua ki shayad abb sach me late ho raha hai Sameer ne Priya ko baithne ke liye
bola aur jab Priya baith gayi tab usne apna bike start karke sidha ghar ki taraf
chalaane laga ghar me bike parking karne ke baad dono apne apne room ki taraf
jaane lage ghar ke gate se andar jaane ke baad jab dono sheedhi se apne room
ki taraf jaa rahe the tab dono ka najar ek dusre se takraya aur gir dono ke chehre
me smile aa gaya dono aise hi muskuraate hue apne room ki taraf jaane lage iss
baat se anjaan ki niche hall me baithe Mr Sharma ne unhe ek dusre ko dekh kar
muskuraate hue dekh liya hai
Raat me dinner ke wakt sabhi dining table par baithe the sabhi khana suru karne
hi wale the ki Mr Sharma ne kaha
Mr Sharma:- Priya tumse Sameer ki bare me kuch kehna hai Mr Sharma ki ye
baat sun kar Sameer aur Priya ke saath Mrs Sharma bhi chaunk gayi Sameer ko
thoda sa dar lag raha tha ki uske papa abb kya puchne wale hai Priya ko bhi
kuch samajh me nahi aaya ki Mr Sharma kya puchne wale hai
Priya:- ji uncle puchiye? Priya ne thoda dheemi aawaj me jawaab diya
Mr Sharma:- jab se tum dono tumhaare ghar se aaye ho maine tum dono ke bich
bohat badlaaw mehsus kiya hai abb tumhaari najro me Sameer ke liye koi nafrat
nahi dikh raha hai kal raat jab main chat me pahuncha tab tum dono ko baat
karte hue dekha tha tum dono aise muskura kar baat kar rahe the jaise tum dono
dost ho aur tumhaari saari naarajgi aur nafrat khatam ho gaya hai tum dono ne
kya baat kiya ye to maine nahi suna lekin aisa laga ki tum dono ke bich haalat
bohat badal gaya hai aaj bhi tum dono ko ek dusre ko dekhne ke baad muskura
kar jaate hue dekha tha Mr Sharma jo baat itne dino se kehna chaahte the aaj
unhone keh diya Mr Sharma ki sawaal ka jawaab Sameer dene hi wala tha ki
bich me Priya ne hi keh diya
Priya:- maine Sameer ko maaf kar diya hai aur abb Sameer se koi naarajgi nahi
hai Priya ne jawaab diya abb chaunkne ki baari Mr Sharma ka tha
Mr Sharma:- achanak aisa kya ho gaya tum dono ke gaanw se aane ke baad
pehle to tum isse bohat naraaj thi Mr Sharma ne thoda hairaani ke saath pucha
uske baad Priya ne bhi Sameer ko maaf karne ki wajah bata diya Sameer ka
sacche dil se maafi maangna khud ki galti par pacchtaana galti ka ehsas hona
aur Shruti ki saajish yahi wajah Priya ne bataya Priya ki jawaab sunne ke baad
Mr Sharma kuch der tak chup hi rahe fir unhone kaha Mr Sharma:- main ye to
nahi kahunga ki jo hua thik hua iski galti se tumhaari jindagi me itna bada tufaan
aa gaya lekin fir bhi baat jyada bigda nahi (Sameer ki taraf dekh kar) tera kismat
sach me bohat accha hai itna bada galti karne ke baad bhi tujhe Priya ne maaf
kar diya Mr Sharma ki chehre me raahat ke bhaaw the wo bohat khush the ki abb
sab kuch thik ho gaya hai unke bete ki galti ki wajah se Priya ke saath jyada
galat nahi hua
Sameer:- main sharmindaa hun apni galti ki wajah se anjaane me bohat bada
galti ho gaya tha abb aage se aisi koi galti nahi karunga bas aap iss baar mujhe
maaf kar dijiye Sameer ne maafi maangne ke baad Mr Sharma ko dekha usse
umeed tha ki Mr Sharma unhe maaf kar denge Mr Sharma kuch der tak Sameer
ko dekhte hue kuch sochne lage fir unhone kaha
Mr Sharma:- abb Priya ne tujhe maaf kar diya hai to mera inkaar karne ka wajah
bhi nahi hai shaayad tune apne galti ka praayaschit bhi kar liya hai iss baar to
tujhe maaf kar raha hun lekin aage kabhi aisi galti karne ka sochna bhi mat Mr
Sharma ki baat sunne ke baad Sameer ke chehre me khushi ke bhaaw aa gaya
apne papa se maafi milne ke baad usko aisa laga jaise uske sar se bohat bada
bojh utar gaya hai khushi ke saath usne kaha
Sameer:- thanks a lot papa abb aisi galti kabhi nahi karunga Mr Sharma ne
Sameer ka iss baat ka koi jawaab nahi diya unhone apna najar Mrs Sharma aur
Priya ki taraf ghumaaya dono ke chehre me khushi ki bhaaw najar aa raha tha
Mr Sharma:- abb khaana khaate hai thanda ho raha hai fir uske baad sabhi
khaane lagte hai khana khaa lene ke baad Mr Sharma ne Sameer se fir kaha
Mr Sharma:- ek cheej tune bohat accha kiya jab tujhe pata chala ki Priya ka
shaadi karwa kar tu galti kar raha hai tab tune apne galti maan kar usko
sudhaarne ki koshish kiya ye baat mujhe bohat accha laga agar Priya ka shaadi
uss bewde ke saath ho jaata aur mujhe kisi se teri ye kartut ke bare me pata
chalta to bata nahi sakta hun main kya haal karta tera? jab tu Priya ke saath
shaadi karke aaya aur shaadi ki wajah bataya tab tujh par itna gussa aa raha tha
ki tujhe laat maar kar ghar se nikaalne ka soch raha tha lekin haalat ko samajhte
hue maine aisa nahi kiya Mr Sharma ne Sameer ki acchaaayi aur buraayi dono
ek saath bata diya
Sameer:- sorry papa gusse me main paagal ho gaya tha aur badla lene chala
gaya aur itna bada galti kar baitha Sameer ne ek baar fir apni galti ki wajah bata
diya iske alawa uske paas Mr Sharma ko jawaab dene ke liye koi baat nahi
bacha
Mr Sharma:- tu galat na ho kar bhi galat ban gaya wajah hai ye gussa sabhi ko
aata hai lekin ye gussa kisi ka apna nahi hota teri baat sun kar mujhe apni
jawaani ka yaad aa gaya uss wakt main bhi short tempered tha gussa shaayad
tujhse bhi jyada aata tha lekin jab main mbbs padhne laga tab ehsas hua ki main
Dr banne jaa raha hun aur Dr par gussa bilkul bhi suit nahi karta kisi tarah khud
par kaabu kiya aur khud ko shaant karne laga mera koshish safal ho gaya uske
baad main kisi bhi chhoti baat par gussa nahi hota tha gussa ko kaabu karne ke
baad mujhe mehsus hua gussa ko kaabu karne se kitna faaida hota hai sabhi ke
saath accha dosti ka rishta ban jaata hai shaant rehne par aur dusro ki madad
karne se sabhi pasand karte hai aur mushkil wakt me bhi saath dete hai gussa
aane par insaan maanasik roop me kabhi thik nahi rehta hai hamesha kisi na kisi
cheej ki frustration rehta hai aur apne routine aur kaam se bhi bhatak jaata hai
gussa khud ke liye aur apno ke liye dono ke liye haani karak hai jitna kaabu me
rahega utna hi accha hai agar tujhe gussa nahi aayega to t u apna kisi bhi kaam
se nahi bhatkega kisi ke liye nafrat nahi hoga aur sabhi ke liye accha hi sochega
sabhi tujhe pasand bhi karenge aur izzat bhi denge aur sabse badi baat kisi se
badla lene ke liye nahi sochega aur accha aur galat ka faisla bhi kar paayega
tune khud hi mehsus kiya hoga ki tera gussa hi tha jiski wajah se tu Priya se
nafrat karne laga aur jab gussa khatam ho gaya tab tera dimaag acche se kaam
karne laga tab jaake tujhe apne galti ka ehsas hua aur tune Priya se maafi
maanga aur aaj tum dono ka dosti ho gaya itna keh kar Mr Sharma chup ho gaye
aur Sameer ko dekhne lage
Sameer:- sahi kaha aapne koshish karunga apne gussa par kaabu karne ka
Sameer ko sach me Mr Sharma ki baat sahi laga aur usse mehsus hua ki uski
galti ki wajah uska gussa hai agar suruwat me hi usne apne gusse ko kaabu me
kar liya hota to uska aur Priya ke bich kabhi dushmani nahi hota aur naa hi ye
sab hota
Mr Sharma:- jis din tu yaha aaya tha shaadi karke uss din mujhe bhi itna gussa
aa raha tha ki bata nahi sakta lekin kisi tarah gusse par kaabu karke teri baat
suna aur saari haalat ke bare me pata chala last me yahi kahunga ki insaan ko
gussa hona bhi chaahiye lekin itna bhi nahi ki gusse ki wajah se uske paas kuch
sochne ka aur samajhne ka taakat hi na rahe kabhi gusse me aa kar aur
bhaawana me dub kar koi faisla nahi karna chaahiye
Sameer:- ji papa aage se yaad rakhunga aur gusse par kaabu karunga
Mr Sharma:- iss baar tujh par vishwaas kar raha hun aage se iss vishwaas ko
todna mat Mr Sharma ki iss baat ka jawaab Sameer ne sar ko haa me hila kar
diya
Mr Sharma:- 11 baj gaya abb sone ka time ho gaya abb baaki baatein kal
karenge itna keh kar sabhi apne apne room ki taraf jaane lage sheedhi par hi
Sameer ne Priya se chhat me aane ke liye kaha dono apne room me na jaa kar
chhat me chale gaye chhat me jaate hi Sameer ne Priya se khush ho kar kaha
Sameer:- thanks a lot Priya aaj tumhaari wajah se papa se bhi maafi mil gaya
Sameer ki baato se hi pata chal raha tha ki wo kitna khush hai
Priya:- aisa maine kya kar diya bas yahi kaha ki maine tumhe maaf kar diya hai
Sameer:- bas yahi to wajah tha papa ka mujhe maaf karne ka jab tak tum mujhe
maaf nahi kar deti papa mujhe kabhi maaf nahi karte kyu ki main tumhaara
sabse bada gunehgaar tha
Priya:- mujhe bhi bohat accha lag raha hai ki tumhe uncle se maafi mil gaya
Sameer:- bata nahi sakta hun Priya tumhe aaj main kitna khush hun Sameer ne
apna khusi jaahir karte hue kaha
Priya:- wo to tumhaara chehra se hi pata chal raha hai
Sameer:- wo to lagega hi aaj bohat bada bojh jo utra hai papa ka naarajgi
mujhse sehan nahi ho raha tha aaj jab unhone maaf kar diya aur sab kuch thik
ho gaya to aisi khushi mehsus ho raha hai ki bata nahi sakta thanks a lot Priya
once again mujhe aisa lag raha hai jaise mujhe jindagi me saari khushiyan mil
gaya hai kuch der pehle Sameer gusse ko kaabu karne ki baat kar raha tha lekin
abb wo apna khushi kaabu nahi kar paa raha tha Priya bhi Sameer ki khushi me
muskura kar uska saath dene lagi wo bhi Sameer ke liye bohat khush thi
Sameer Sameer abb utth bhi jaa kab tak aise hi sota rahega? agle din subah ke
11:00 baje Mrs Sharma Sameer ko uthaa rahi thi Sameer itna gehri neend me
soo raha tha ki usse bilkul bhi fark nahi par raha tha wo bina hile sota raha Mrs
Sharma ki kuch der tak Sameer ka naam le kar chillane ke baad aur hilaane ke
baad Sameer neend se jaaga lekin neend ka asar abhi bhi uss par tha usne
aankh khole bina hi kaha
Sameer:- sone do na Priya bohat neend lag raha hai raat me 3:00 am me soya
tha tumse baat karne ke baad bhi kuch der tak jaag raha tha Sameer ne to ye
baat keh diya iss baat se anjaan ki usne jo kuch bhi kaha hai usne Priya se nahi
balki apna maa se kaha hai
Mrs Sharma:- to fir utna raat tak kya kar raha tha? Mrs Sharma ne thoda gusse
ke saath pucha iss baar Sameer ne apni maa ki aawaj pehchaan liya wo
hadbada kar utha aur maa ki taraf dekha jab usse yakin aaya ki yaha uska maa
hi hai to fir thoda darte hue kaha
Sameer:- maa aap yaha kab se? aur itni jaldi kyu uthaaya? ek hi saans me
Sameer ne ye saari sawaal puch diya
Mrs Sharma:- itni jaldi? tujhe ye itna jaldi lag raha hai ghadi dekh 11 baj raha hai
Mrs Sharma ki baat sunne ke baad Sameer ne ghadi me time dekha time dekh
ke wo thoda chaunk gaya wo jitna bhi late sota tha 10:00 am tak utth jaata tha
aaj late hone par usse khud par hi hairaani ho raha tha
Sameer:- aaj late ho gaya raat me bohat late soya tha Sameer ne der utthne ki
wajah bataya
Mrs Sharma:- aisa kya ho gaya ki tujhe itna der se sona pada abb Sameer ka
neend lagh bhag gaayab ho gaya tha wo puri tarah se hosh me laut aaya
Sameer:- kal raat jyada khushi ki wajah se neend nahi aaya Sameer ne khushi
ke saath jawaab diya usko papa ne maaf kar diya hai ye baat yaad karke wo abhi
bhi khush tha Mrs Sharma bhi Sameer ko itne din baad khush dekh kar wo bhi
khush ho gayi thi
Mrs Sharma:- han khushi ki baat to hai bohat dino baad tujhe papa se maafi mil
hi gaya lekin ek baat bata tu keh raha tha ki tu Priya se raat me baat kar raha tha
kya baat kar raha tha usse? Mrs Sharma ne pehle ki kuch baatein khushi ke
saath kaha aur aakhiri ki kuch baatein Sameer se iss tarah pucha jaise unhe
shak ho gaya tha ki Sameer aur Priya ki dosti kuch jyada hi badh gaya hai
Sameer jis sawaal se bachna chaahta tha fir ussi sawal me atak gaya kisi tarah
baat sambhaalne ke liye usne kaha
Sameer:- kal raat main fresh hone ke liye chhat me gaya tha waha Priya bhi aa
gayi kal raat to waise bhi khush tha baat karne ka accha mood ban gaya tha issi
tarah se baat karte hue bohat raat beet gaya Sameer ne kuch hi sach baat
bataya daily raat me chhat me ek dusre se baat karne ki baat usne maa se
chupaa liya
Mrs Sharma:- Sameer maine mehsus kiya hai ki tera aur Priya ki dosti thoda
jyada hi gehra ho gaya hai Mrs Sharma ne iss baar indirectly Sameer se pucha ki
wo Priya se pyar karta hai ya nahi Sameer ne bhi unki ye baat samajh liya fir bhi
usne kaha
Sameer:- han maa bohat gehra dosti ho gaya hai khud mujhe bhi nahi pata kaise
aise haalat me itni jaldi usse itna gehra dosti ho gaya saare nafrat aur galat fehmi
kuch hi pal me gaayab ho gaya iss baat se main bohat khush hun ki itna galat
hone ke baawjood sab kuch thik ho gaya Sameer ne bhi Mrs Sharma ki baat ka
jawaab ghumaa kar diya
Mrs Sharma:- main bhi bohat khush hun ki itni jaldi sab kuch thik ho gaya Priya
ke saath kuch galat nahi hua tune apni galti ko maan liya aur wakt rehte sudhaar
liya tujhe tere papa aur Priya ne maaf kar diya aur tu Shruti se bhi bach gaya itne
din me kitna kuch badal gaya sach me tere chehre me khushi dekh kar main bhi
bohat khush hun Mrs Sharma ne bhi khush ho kar kaha Sameer ne unki iss baat
ka koi jawaab nahi diya Mrs Sharma ko fir picchli baat yaad aa gaya aur unhone
fir pucha
Mrs Sharma:- Sameer ek baat sach sach bata tu Priya se pyar karne laga hai
na? iss baar Mrs Sharma ne directly ye baat puch liya Sameer ne jab unka ye
baat suna wo fir se uljhan me padd gaya kuch jawaab nahi de paa raha tha khud
ke jawaab me hi ulajh gaya kisi tarah usne jawaab diya
Sameer:- nahi maa lekin aapko aisa kyu laga Sameer ki aawaj se hi pata chal
raha tha ki wo kitna ulajh gaya hai uski iss baat ko Mrs Sharma ne bhi mehsus
kiya
Mrs Sharma:- jab bhi tum dono baat karte ho ya fir ek dusre ko dekhte ho to kisi
ko bhi lagega ki tum dono ek dusre se pyar karte ho maine tum dono ko dekha
tha kabhi kabhi chhat me ek dusre se baat karte hue yahi sab ki wajah se mujhe
laga ki tum dono ek dusre se pyar karte ho Mrs Sharma ne unko aisa lagne ki
wajah bataya
Sameer:- nahi maa mujhe Priya se pyar nahi hua hai main to usse apna dost
manta hun aur aap ko jo bhi laga wo dosti hai pyar nahi Sameer ne bhi apna
jawaab diya Sameer ne bohat mushkil se ye jawaab diya Mrs Sharma ne bhi
uska ek aur jhuth pakad liya lekin wo Sameer ko iss baat ke liye jyada jawaab
nahi dena chaahti thi
Mrs Sharma:- accha koi baat nahi shaayad mujhe hi galat fehmi ho gaya hai agar
tujhe Priya se pyar ho bhi gaya to koi baat nahi Priya ko bahu maane me mujhe
koi problem nahi hai Mrs Sharma ne hans kar iss baat ko kaha Sameer unke iss
baat par koi jawaab nahi de paaya wo khud me hi uljha tha ki wo Priya se pyar
karta hai ya nahi aur aise me maa ka iss tarah ka sawaal usse kuch bhi samajh
me nahi aa raha tha ki usse kya jawaab dena chaahiye Sameer ko chup dekh
kar fir Mrs Sharma ne pucha
Mrs Sharma:- abb aha kho gaya
Sameer:- kahi nahi office ki kaam ke bare me soch raha tha baat ko taalne ke
liye Sameer ne kaha
Mrs Sharma:- aaj itni der se uttha hai abb to tera office band hone ka time hai
chal niche aa khaana khaane ke liye pehle hi itna late ho gaya hai main bhi tujhe
khana khane ke liye bulaane aayi thi uthne me hi bohat deri kiya tune aur jab
utha to baato me hi ulajh gaye abb der mat kar fresh ho kar khaana khaane
niche chal pyar ki topic ko band karke iss baar unhone Sameer ko khaane ke liye
bulaaya
Sameer:- ok maa nahaa kar aata hun Sameer ki iss baat par Mrs Sharma ne
manjuri dekar wo niche chali gayi apne kapda uthaa kar Sameer bhi bathroom
me chala gaya Sameer ne nahaane ke liye shower on kiya shower body par
padte hi usne khud ko kaafi halka mehsus kiya aise me hi usse khayal aaya ki
aaj wo kyu Mrs Sharma ko kuch jawaab nahi de paa raha tha jab unhone usse
ye pucha tha ki wo Priya se pyar karta hai ya nahi wo iss baat ko sochte hue
khud se hi baat karne laga
Sameer:- (to himself) kya ho gaya hai mujhe itne aashaan sawaal ka jawaab nahi
de paaya aashaani se jawaab de sakta tha ki mujhe Priya se pyar nahi hua hai
lekin dhang se jawaab nahi de paa raha tha khud me hi ulajh gaya tha kya wajah
ho sakta hai jab bhi baat Priya ke bare me hota hai yaa fir usse alag hone ka
kabhi dhang se koi faisla nahi le paata aakhir kyu aisa ho raha hai iss tarah se to
kabhi uljhaa nahi tha kahi mujhe Priya se pyar to nahi ho gaya hai Sameer itna
keh kar chup ho gaya uske chehre me aise bhaaw aa gaya jaise wo apne hi iss
soch me chaunka hai fir wo sochne laga
Sameer:- (to himself)abb to mujhe bhi shak ho raha hai shaayad mujhe Priya se
pyar ho gaya hai jab bhi wo hansti hai mujhse hans kar baat karti hai mera najar
uss par hi tik jaata hai mann karta hai ki uske chehre se najar kabhi na hataau
hansti hui Priya sach me bohat pyari lagti hai Sameer ne cinema hall me Priya ka
hansta hua chehra ko yaad kiya
Sameer:- (to himself) jab bhi Priya ka alag hone ka khayal aata hai tab dil me
achanak hi ghabraahat paida ho jaata hai aisa lagta hai ki wo hamesha mere
saath hi rahe aur kabhi mujhse dur na ho uske saath rehne me alag hi khushi aur
dur hone ki khayal se hi maayusi chaa jaati hai abb to uski har adaa har baatein
pyari lagne laga hai kya yahi pyar hai? Sameer ne khud se hi pucha kuch der
sochne ke baad usne khud hi jawaab diya
Sameer:- (to himself) shaayad haan abb to mujhe aisa hi lag raha hai maa ne bhi
kaha tha ki jo bhi ham dono ko dekhega wo kahega ki ham dono ek dusre se
pyar karte hai lekin dil kyu nahi maan raha hai ki ye pyar hi hai? (kuch der baad)
lekin inkaar bhi to nahi kar paa raha hun ki ye pyar nahi hai shaayad ye pyar aisa
hi hai shaayad badhte wakt ke saath ehsaas ho jaayega ki mujhe sach me pyar
ho gaya hai agar ye pyar hai bhi to kya ye thik hai kya mujhe pyar par bharosha
kar lena chaahiye ki iss duniya me saccha pyar naam ka koi cheej hota bhi hai?
jitna bhi pyar dekha hai suna hai sab dhokhebaazi aur bewafaayi me hi badal
jaata hai kahi main bhi wohi galti to nahi dohra raha hun jo Mahesh ne kiya tha?
iss khayal se Sameer fir khayal me pad gaya
Sameer:- lekin har baar pyar ka manjil bewafaayi aur dhokhebaazi hi ho aisa
jaruri to nahi Priya kehti hai ki saccha pyar aaj bhi hota hai itna to yakin hai ki
Priya mujhe kabhi dhokha nahi degi haa ye ho sakta hai ki wo mujhse pyar nahi
karegi lekin wo dhokha bhi nahi degi uss par main vishwas kar sakta hun iss
khayal ne Sameer ko yakin dilaaya ki sacchaa pyaar aaj bhi duniya me hota hai
Sameer:- agar sachaa pyar ho bhi gaya to kya faaida bohat jald hamaara divorce
bhi hone wala hai aur fir wo mujhse hameshaa ke liye alag ho jaayegi iss soch
ne Sameer ke dil me ek dar paida kar diya fir khud ko sambhaal kar aatma
vishwas ke saath usne kaha
Sameer:- nahi nahi aisa nahi hoga divorce ke liye abhi bhi 8 months bache hai
bas ek baar yakin ho jaaye main Priya se sach me pyar karne laga hun tab main
usko apne pyar ka ehsas dila kar hi rahunga usse itna pyar dunga ki wo mujhe
chhod kar jaane ka sochegi bhi nahi mujhe khud par itna vishwas to hai itna
sochne ke baad Sameer ke chehre me santushti ke bhaaw aa gaye baaki ka
faisla usne wakt ke haath me chhod diya wo jaldi se naha kar niche dining table
ki taraf jaane laga kuch hi pal ke soch ne uske dil aur dimaag me ye ehsas paida
kar diya ki wo bhi Priya se pyar karne laga hai lunch karne ke baad Sameer
waapas apne room me aa gaya der se uthne ki wajah se wo office ke liye late ho
gaya tha abb uske paas karne ke liye kuch nahi tha baithe baithe wo bore ho
raha tha kuch de raise hi baithne ke baad usne Rajesh ko phone karne ka socha
phone utha kar usne Rajesh ko call lagaya Rajesh ka phone busy tha Sameer ne
2 minute baad fir try kiya aur fir se wahi reponse 2 -3 baar aur try karne ke baad
bhi jab Rajesh ka phone busy hi raha to thoda sa muskurate hue usne kaha
Sameer:- girl friend kya mil gaya ye to 24 hrs gf ke saath hi phone par busy hone
laga fir Sameer ne Mahesh ko phone lagaya iss baar phone me switch off ka
reply aaya
Sameer:- ye bhi ajeeb ladka hai mobile aur internet ke duniya se to jaise iska koi
rishta hi nahi hai modern version of sanyasi kabhi kabhi mushkil se hi phone
lagta hai bohat ajeeb dost mila hai mujhe bhi ek ko gf se fursat nahi aur dusre ke
paas mobile ke liye wakt hi nahi itna keh kar Sameer ne mobile me fb on kiya
kuch der fb chalane ke baad wo fir bore hone laga tv on kiya to usme bhi boring
programs abb usse samajh me nahi aaya ki kya kare kuch der yunhi wo room me
idhar udhar tehalne laga usne chhat me jaane ka socha fir usne socha ki abhi
dopahar me bohat garmi hoga abb uske paas kuch sochne ke liye nahi bacha
ghadi me dekha to 1:00 pm baj raha tha
Sameer:- karne ke liye abb kuch nahi hai bore bhi ho raha hun soo kar hi time
paas karna padega itna keh kar wo bed par chala gaya sone ke liye bed me laite
15 minute ho gaya fir bhi usse neend nahi aaya wakt ke saath wo aur bore ho
raha tha kuch der baad uske dimaag me achaanak ye khayal aaya
Sameer:- aise to aur bore hota rahunga Priya ke room me jaana chaahiye uske
saath baat karne se wakt kab beet ta hai pata hi nahi chalta Sameer itna keh kar
wakt se utth gaya fir kuch sochte hue ruk gaya
Sameer:- lekin main Priya se kya kahunga agar usne pucha ki main kyu uske
room me aaya hun to kya jawaab dunga? ye sawaal karte hue Sameer ruk gaya
wo Priya ke room me jaane ka bahaana dhundne laga kuch der sochne ke baad
usne kaha
Sameer:- keh dunga baat karne aaya hun bore ho raha tha to baat karne aa
gaya bekaar hi itna soch raha tha mujhe nahi lagta wo aise sawaal puchegi agar
puch liya to jawaab de dunga ki aise hi baat karne aaya hun itna keh kar Sameer
Priya ki room ki taraf jaane laga aaj usse Priya ke paas jaate hue kuch alag sa
feel ho raha tha kuch der baad wo Priya ke room ke pas pahunch gaya gate
knock karne ke liye haath uthaaya aur wo gate knock karne hi wala tha ki usne
apna haath picche khinch liya usse khud apni iss harkat ka wajah pata nahi chala
wo apne mann me thoda frustrated ho kar sochne laga
Sameer:- (in his mind) pata nahi kyu bewajah dar raha hun itna keh kar usne iss
baar gate me knock kiya kuch der baad Priya ne gate khola Priya ne Sameer ko
iss wakt apne room me expect nahi kiya tha thoda hairaani se wo Sameer ko
dekhne lagi Sameer kuch kehta usse pehle hi Priya ki room se Mrs Sharma ki
aawaj aaya
Mrs Sharma:- Priya kaun hai gate par? Priya ko bohat der tak gate par khada
dekh kar unhone pucha
Priya:- Sameer Priya ne thoda hadbada kar jawaab diya Sameer ka naam sunte
Mrs Sharma ko pehle thoda ajeeb laga lekin agle pal unhone soch liya kya wajah
ho sakta hai Sameer ka Priya ke room me aane ka unhone kuch nahi kaha Priya
ne gate thoda aur khol diya aur Sameer bhi andar chala aaya Sameer andar
jaate wakt soch raha tha ki usse andar jaana chaahiye ya nahi maa ki maujudgi
me usse andar jaane ki himmat nahi ho raha tha lekin waapas lautne ka bhi
wajah nahi tha uske paas himmat karte hue wo room me chala gaya usne dekha
ki uske maa bed ke ek side baithi thi maa ki yaha maujudgi ki wajah usse samajh
me nahi aaya aur wo ye baat puchne ki haalat me bhi nahi tha wo bhi jaake bed
ke ek side me baith gaya lekin bola kuch nahi kuch der baad Priya bhi Sameer
aur Mrs Sharma ke paas aa gayi
Priya:- Sameer tum yaha iss wakt kya baat hai? Priya ne thoda serious ho kar
pucha Sameer pehli baar uske room me aaya tha dono ke iss room se alag hone
ke baad Priya ko laga jarur koi serious baat hai issi liye Sameer yaha aaya hoga
Sameer:- bore ho raha tha issi liye baat karne aaya tha Sameer ne kuch der
baad jawaab diya wo soch kar jawaab de raha tha yaha Priya hi nahi thi jisse wo
dil ki baat kar salta tha yaha par uski maa bhi thi
Mrs Sharma:- bore hone par tujhe Priya hi yaad aayi pehle to jab bhi bore hota
tha mere paas aata tha baat karne ke liye Priya aa gayi to tu bhi badal gaya Mrs
Sharma ne Sameer ki haalat ka majaa lete hue kaha Mrs Sharma ki iss baat se
Sameer aur Priya dono ke ajeeb sa haalat ho gaya dono ko kuch samajh me
nahi aa raha tha ki kya jawaab de
Sameer:- nahi maa aisi koi baat nahi hai Priya se ek jaruri baat karna tha issi liye
yaha aaya tha Sameer ne baat ko sambhaalne ke liye kaha lekin uska uska ye
jhuth uske maa se chhup nahi saka Mrs Sharma iss baar kuch nahi boli kuch
wakt beet jaane ke baad bhi khaamoshi pehle ki tarah hi kaayam raha koi kuch
bol nahi raha tha
Mrs Sharma:- tujhe Priya se baat karna tha na? Sameer ko bohat der se chup
dekh kar Mrs Sharma ne pucha
Sameer:- Rajesh keh raha tha ki uska aur Divya ka engagement hone wala hai
bohat jald Sameer ne Priya ki taraf dekha aur kaha iss baar maa ki sawaal se
bachne ke liye usne jhuth ka sahara liya usse isse behtar jhuth mila hi nahi
Priya:- kya? Sameer ki iss jhuth par Priya ko vishwaas hi nahi hua hairaani ke
saath usne kaha
Priya:- Divya ne itni badi baat abhi tak mujhe bataya kyu nahi? bohat baatein
chupaane lagi hai aaj kal Priya ne Divya se naarajgi jataate hue kaha
Sameer:- phone me puch lena kuch der baad Sameer ne kaha
Mrs Sharma:- tu itni der baad kyu jawaab de rahi hai Mrs Sharma ko Sameer ke
haalat ka majaa lene me bohat majaa aa raha tha
Priya:- Sameer aisa hi hai aunty iss baar Priya ne jawaab diya
Mrs Sharma:- kaisa hai? Mrs Sharma Priya ki baat ka matlab acche se samajh
nahi paayi thi
Priya:- ladkiyo se baat karne me Sharmaata hai aur aise hi der se jawaab deta
hai lekin dil ka accha hai iss baar Priya ne bhi Sameer ka majaa lete hue kaha
Sameer ko Priya se aisi baat ka umeed nahi tha usne Priya ki taraf dekha Priya
Mrs Sharma ki najro se chhup kar Sameer ko dekh kar hansne lagi uske hamsi
se lag raha tha ki wo Sameer ko chhidha rahi hai Priya ka ye hansi se Sameer ka
thoda bohat gussa bhi gaayab kar diya fir bhi apne bachaaw me usne kaha Mrs
Sharma kuch bolti usse pehle hi Sameer ne kaha
Sameer:- main kisi se nahi Sharmaata hun abhi mood thik nahi hai issi liye acche
se jawaab nahi de paa raha hun love shove aise topic me main believe nahi
karta to fir Sharmaane ki baat to aata hi nahi Sameer ne josh me jawaab diya
josh me wo ye bhi bhul gaya tha ki Mrs Sharma bhi waha maujud hai Mrs
Sharma bhi dono ke bajas ka majaa le rahi thi
Priya:- sach mein Priya ne Sameer ko chhidhaate hue pucha
Sameer:- han sach mein Sameer ne bhi Priya ki aankh me aankh daal kar
confidently jawaab diya
Priya:- lekin mujhe to nahi lagta
Sameer:- aisa kyu Sameer ne bhi Priya ke andaaj me hi jawaab diya
Priya:- accha ek baat bataao?
Sameer:- pucho
Priya:- college ke time tum kitne ladkiyo se baat karte the?
Sameer:- bas Shruti se
Priya:- tum Shruti se baat nahi karte the Shruti tum se baat karti thi maine to
tumhe kisi se baat karte hue nahi dekha yahi baat prove karta hai ki tumhe
lafkiyo se baat karne me sharm aata hai
Sameer:- wo sharm ki wajah se nahi tha wo mera style aur attitude hai jo bhi
mujhse baat karta hai ya karti hai main bhi ussi se baat karta hun college me
Shruti ko chhod kar tumse aur Neha se hi baat hua tha tumse aur Neha se to
fight hua tha baaki ki ladki bhaaw khaati thi to main bhi ignore karta tha Sameer
ne apni baat kehne ke baad usko Neha ki yaad aaya wo hi to thi jiski planning
me fass kar Sameer ne bhool kiya tha usne socha ek baar Principal sir ke ghar
jaane ka
Mrs Sharma:- accha abb main chalti hun tum rono bhi ladna band karo itna keh
kar Mrs Sharma apni jagah se uth kar jaane lagi unke chehre me muskaan tha jo
keh raha tha ki unhone Sameer aur Priya ke iss fight ko acche se enjoy kiya Mrs
Sharma ki baat sunne ke baad Sameer aur Priya ko ehsas hua ki dono Mrs
Sharma ke saamne kutte aur billi ki tarah lad rahe the
Sameer:- acche se beijjat kar diya maa ke saamne Sameer ne jhutha naarajgi
dikhaate hue kaha
Priya:- isse beijjat karna nahi kehte hai buddhu isse majaa lena kehte hai aur
dosti me itna to chalta hi hai Priya ne abhi bhi Sameer ko chidhaa kar kaha Priya
ki aakhiri baat sun kar Sameer ke chehre me bhi ek muskaan aa gaya
Sameer:- dosti ka galat faaida utha rahi ho Sameer ne hanste hue hi kaha uska
thoda bohat naarajgi Priya ki muskaan aur dost kehne se khatam ho gaya
Priya:- Sameer kya hua? tumhaara mood off kyu hai? dinner ke baad Sameer ko
chhat me akele dekhne ke baad Priya ne pucha
Sameer:- hmm thoda sa mood off hai
Priya:- kyu? dopahar tak to bilkul thik the aur achanak se bina bataaye hi room
se nikal gaye aur fir bike lekar baahar chale gaye ar jab se aaye ho tumhaara
mood off hai kya mera wo majaak tumhe itna bura laga? Priya ko Sameer ka
mood off hona aur chhat me iss tarah se aakar akela baithna bilkul bhi accha
nahi lag raha tha aur usse kuch samajh me bhi nahi aa raha tha ki wajah kya ho
sakta hai
Sameer:- aaj Principal ke ghar gaya tha issi liye mood off hai Sameer ne bina kisi
bhaaw ke jawaab diya Sameer ki iss baat se Priya dusre uljhan me padd gayi
Sameer ka Principal ke ghar jaane ki wajah Priya ke samajh me nahi aaya
Priya:- kyu? hairaani me Priya ne bas itna hi kaha
Sameer:- Neha ke bare me baat karna tha unse Neha hi thi wo planning karne
wali jiski planning me main fans gaya aur wo bhool kar baitha jo aaj bhi yaad
karne se khud par hi gussa aata hai Sameer ke chehre me abb dhire dhire gussa
ke bhaaw aane laga Priya ko abb Sameer ki baat samajh me aaya ki wo
Principal ke ghar kyu gaya tha lekin usne Sameer ka gussa ko mehsus kar liya
jab Sameer Neha aur Principal ka naam le raha tha usse dar lagne laga ki kahi
Sameer ne Principal ke ghar me jaake kuch galat to nahi kiya
Priya:- tum to gusse me lag rahe ho waha kuch hua kya?
Sameer:- nahi kuch nahi kar paaya uss kamini ne mera life ke saath itna bada
majaak kiya lekin main kuch kar nahi paaya khud par hi gussa aa raha hai mann
to kar raha hai ki usse wohi jinda gaad deta lekin kuch nahi kar paaya pata nahi
kyu ho gaya tha mujhe ki main kuch kiye bina hi aa gaya Sameer ne gusse me
diwaal me ek punch maar kar kaha uski ye harkat dikhaa raha tha ki wo kitna
gussa me hai usne apni najar Priya ki taraf se hata liya aur diwaal ki taraf gusse
se dekhne laga Priya Sameer ka achanak itne jaldi iss tarah gussa hone ka
kaaran jaan paati usse pehle hi Sameer ne kaha
Sameer:- lekin itna to kiya ki aaj Principal aur uski beti Neha ko acche se jawaab
diya wo buddha Principal mujhe discipline sikhaa raha tha jab maine kuch galti
nahi kiya tha usne mujhe aur papa ko bohat kuch sunaaya tha papa ki baat
maan kar main uss wakt chup ho gaya tha lekin aaj khud par control nahi kar
paaya usse keh diya ki agar Neha ne fir se koi saajish ki planning kiya to mujhse
bura koi nahi hoga aisi haal kar dunga dono ki jindagi bhar sochte rahenge ki
kisse panga liya hai main accho ke liye accha hun aur buro ke liye unse bhi kahi
jyada khatarnaak wakt rehte hi maine usse apni beti ko sambhaalne ke liye keh
diya aur uss kamini Neha ko bhi acche se samjhaa diya ye bhi kaha ki agar main
galatfehmi aur puri sacchaayi jaane bina Priya ke liye itna khatarnaak soch sakta
hun to uske saath koi action lene se pehle bilkul bhi nahi sochunga itna keh kar
Sameer ne thoda saans liya aur Priya ki taraf dekha
Sameer:- agar usne fir se kuch karne ki koshish kiya aur mujhe uski saajish pata
chal gaya to uski jindagi ko nark se bhi bura bana dunga jindagi bhar sochegi kyu
mujh se panga liya tha mann to kar raha tha acche se sabak sikhaau usko lekin
kisi tarah gusse par kaabu kar liya socha ek baar acche se usse samjhaata hun
usko agar maan gayi to thik hai warna mera gussa ka saamna karna padega
usko waise bhi abb jindagi thik thaak chal raha hai issi liye badla lene ka soch se
sirf tension hi hoga abb main jindagi me sirf khushi aur shaanti chaahta hun issi
liye ek baar usko samjhaa kar chhod diya itna keh kar Sameer abb chup ho gaya
uska laal aankh aur teji se chal raha saansein iss baat ka sabut tha ki wo abhi
bhi bohat gusse me hai
Priya:- Principal aur Neha ne kya kaha?
Sameer:- unki bolne ki himmat hi kaha tha mere saamne Neha ko dekh kar aisa
lag raha tha ki wo meri baato se dar rahi hai aur Principal aisa dikhaa raha tha ki
wo Neha ki kartut se anjaan hai aur Neha ko daant raha tha mujhe to wo sab
buddhe ka acting lag raha tha Sameer ki aawaj me gussa pehle jaisa hi tha
Sameer ki baat sun kar Priya ko thoda raahat mila ki gusse me Sameer ne koi
gadbad nahi kiya warna gusse me wo kuch bhi kar sakta tha Sameer ne Neha ko
acche se jawaab de diya yahi bohat tha uske liye abb wo bh confirm thi ki Neha
aage se uske aur Sameer ki life me kuch nahi karegi wo bhi abb Neha ki chapter
ko bhul jaana chaahti thi abb Neha ko fir se yaad karne ka matlab apni buri past
ko yaad karna jaise tha abb wo sirf aage ka sochna chaahti thi Neha ki uss
planning me ulta Priya ke saath bohat kuch accha ho gaya wo ek hokha aur
chhal se suruwat hua rishta se bach gayi aur apne aas paas ke sabhi insaan ka
asli roop pehchaan paayi thi ye sab baatein sochne ke baad usne Sameer ko
dekha abb Sameer ka gussa dhire dhire kam ho raha tha wo Sameer ka mood
thik karne ka soch rahi thi kuch der wo chup rahi aur Sameer ko bhi akela chhod
diya jab usse laga ki Sameer ka gussa abb bohat kam ho gaya hai tab usne kaha
Priya:- cigarette piyoge saari tension dur ho jaayega aur mood bhi thik ho
jaayega Priya ne muskuraate hue kaha wo Sameer ko Principal ki ghar wali
yaadon se baahar nikaalna chaahti thi Sameer ne Priya ki iss baat par Priya ko
iss tarah se dekha jaise usko apne kaano par yakin hi nahi hua jab Priya ne apni
baat ko dobaara dohraaya tab usne kaha
Sameer:- main cigarette nahi peeta Sameer ne hairaan ho kar jawaab diya
Priya:- lekin daru to peete ho
Sameer:- wo bhi nahi peeta hun shaadi ke baad 2 din tension bhulne ke liye piya
tha uske baad fir kabhi nahi piya lekin tum ye kyu puch rahi ho?
Priya:- main to aise hi ye jaane ke lie puch rahi thi ki tum cigarette aur alcoholic
products peete ho ya nahi? Priya ne baat taalne ke liye kaha wo jo chaahti thi
usne kar diya usne Sameer ka dhyaan Principal ke ghar se nikaal diya
Sameer:- waise soch raha hun ki abb tumne maaf kar diya hai to fir 1 bottle
peekar khushi manaata hun dekhte hai khushi me kaisa taste hota hai? Sameer
ne bhi iss baar majaak karte hue kaha tha kuch der akela rehne par aur Priya se
baat karne ke baad wo apna gussa lagh bhag bhul hi gaya tha abb wo bhi kuch
pal Priya se acche se baatein karke mood thik karna chaahta tha
Priya:- agar firse peena suru kar diya to kabhi maaf nahi karungi Priya ki baato
me request kam challenge jyada tha
Sameer:- tab to main daru ki bottle ko kabhi haath bhi nahi lagaunga Sameer ne
muskura kar kaha
Priya:- issi me tumhaara bhalaayi hai itna keh kar Priya bhi hasne lagi iss baar
Sameer ne bhi uska saath diya hansne me maahaul abb pura badal gaya dono
saath saath hansne lage aur hanste hue Sameer sochne laga
Sameer:- (in his mind) yakin nahi hota kuch der pehle itna gussa aa raha tha ki
kuch samajh me nahi aa raha tha ki agle hi pal kya kar baithunga paagal hi ho
gaya tha lekin abb hansi aa rahi hai aur iss hansi me ek alag sa sukun hai (Priya
ko dekhte hue) jab bhi Priya ke saath hota hun baatein karta hun gam bhi khushi
me badal jaata hai ek alag hi sukoon milta hai mann karta hai baatein karta hi
rahu kitna galat tha main aur mera soch itni acchi ladki se choti si baat ke liye
jhagada kiya aur dusmani kar liya main bhi gadha hun agar pehle hi Priya se
dosti kar leta to life kitna alag hota shaayad Shruti ki jagah Priya se pyar ho jaata
itna sochne ke baad Sameer apne soch se baahar aaya fir se apni iss soch par
hanste hue sochne laga
Sameer:- (in his mind) main sach me paagal ho gaya hun pata nahi kya kya
sochne laga hun pyar aise thodi hi hota hai Priya ki baatein aur mere saath uska
behavior accha lagta hai iska matlab ye thodi na hai ki mujhe Priya se pyar ho
gaya hai pata nahi kya kya sochne laga hun aaj kal Sameer ne ek baar fir se
apne dil me paida hua pyar ke ehsas ko alag hi naam de diya isse aage wo kuch
sochta Priya ki baato se wo waapas hosh me aaya
Priya:- kya soch rahe ho?
Sameer:- kuch nahi Sameer ne kuch iss tarah se jawaab diya jaise abhi bhi soch
me vyast ho Sameer ka iss jhuth se fir se Priya ki chehre me muskaan aaya wo
Sameer ko dekh kar aur bhi muskuraane lagi Sameer ne bhi Priya ko dekh kar
smile kiya achanak Sameer ko kuch yaad aaya aur usne kaha
Sameer:- thanks a lot Sameer ne dil se Priya se thanks kaha
Priya:- kis liye? Priya ne thoda hairaan ho kar pucha Sameer ka thanks bolne ki
wajah usse samajh me nahi aaya
Sameer:- aaj jab main shaam me maa ke room me gaya tha tab gate me
pahunchne ke baad dekha ki tum bhi waha room me thi maa ko halka bukhaar
tha tumhaara unka care karna dekh kar bohat accha laga chehre me koi swarth
ke bhaaw nahi tha aisa lag raha tha ki tum dil se wo sab kar rahi thi thanks a lot
Priya utna to shaayad main bhi nahi karta thoda sa bukhaar samajh kar utna
care nahi karta jitna tumne kiya bohat saaf aur nekdil ho tum ussi wakt tumhe
thanks kehna chaahta tha lekin mood off tha Sameer ne ek baar fir se Priya ko
dil se thanks kaha
Priya:- maine to wohi kiya jo mujhe laga ki karna chaahiye uss wakt agar kisi ko
bhi taklif hota hai to main jitna ho sake utna madad karti hun Priya ko Sameer ki
taarif bohat accha laga
Sameer:- yahi to tumhaari acchaayi hai Sameer ki iss baat par Priya ne koi
jawaab nahi diya wo Sameer ki taarif se itna khush ho gayi thi ki usse samajh me
nahi aa raha tha ki wo kya bole
Sameer:- maa ki uss baat par kya khayaal hai? Sameer ne chehre me shararati
muskaan late hue kaha
Priya:- kaunsi baat?
Sameer:- wohi baat jab maa ne kaha tha ki unhe tumhe apna bahu banaane me
koi problem nahi hai ye kehte hue Sameer ki chehre par wo shararati muskaan
aur badh gaya wo Priya ki jawaab ka intejaar karne laga Sameer ki iss baat se
Priya ekdam se shocked ho gayi usne bilkul bhi expect nahi kiya tha ki Sameer
itni jaldi ye baatein puchega Priya Sameer ki iss baat se bohat khush ho gayi thi
shocked hone ki wajah se aur thoda sharm se wo jawaab nahi de paa rahi thi
Sameer:- pata tha tum kuch bol nahi paaogi aur aise hi shocked ho jaogi
chaunkne ki jarurat nahi hai main majaak kar raha tha Priya ki dil ki haal se
anjaan wo itna keh kar Sameer thoda hansne laga Priya ko Sameer ka ye
majaak wali baat bilkul bhi pasand nahi aaya usse aisa lag raha tha ki wo koi
haseen sapne dekh rahi thi aur kisi ne usse paani daal kar jaga diya hai thode
gusse me usne kaha
Priya:- aage se aise majaak kabhi mat karna itna keh kar wo utth kar apne room
ki taraf chali gayi room me pahunchne ke baad kuch der tak usko bohat gussa aa
raha tha gussa jab kam hone laga tab usne socha
Priya:- (in her mind) shaayad maine kuch jyada hi over react kar diya Sameer
bas majaak hi to kar raha tha aur usse abhi apne pyar ka ehsas bhi to nahi hua
hai mujhe iss tarah se gussa ho kar nahi aana chaahiye tha itna sochne ke baad
wo waapas chhat me gayi Sameer se maafi maangne lekin jab wo chhat me
pahunchi tab Sameer waha nahi tha uske baad Priya Sameer ke room ke paas
gayi gate locked tha aur aisa lag raha tha ki lights bhi off hai use room knock
karne me thoda dar bhi lag raha tha usne mann me hi kaha
Priya:- (in her mind) kal maafi maang lungi shaayad Sameer abb soo raha hai
disturb karna nahi chaahiye dusri taraf jab Priya chhat se apne room ki taraf jaa
rahi thi tab Sameer ko fir khud par gussa aaya usne bhi socha
Sameer:- (in his mind) main bhi bewkoof ho gaya hun bohat bakwas majaak kiya
apni baat kehne se pehle socha bhi nahi ki main kya keh raha hun aur Priya kya
sochegi thoda sa dosti kya ho gaya main apni hadd bhul gaya Priya ne mera
mood thik kiya aur maine hi usse gussa dilaaya main to apne feelings ke bare
me soch raha tha ki Priya mujhse pyar karti hai ya nahi aur main usse pyar karta
hun ya nahi lekin meri baat se wo pyar karna to dur kahi dosti bhi na tod de sab
meri bewkufi hai acchi khaasi dosti bhi tut sakta hai meri iss bewkufi se kal subah
maafi maangta hun kaash wo maaf kar de aage se aisi bewkufi bhul kar bhi nahi
karunga itna soch kar Sameer bhi apne room me chala gaya abb chhat me rukne
ke liye uske paas koi wajah nahi tha jab wo room ke andar pahuncha tab son eke
liye bed par lait gaya room me aaye usse 5 minute hua hi tha ki tabhi Priya uske
room ke paas aa kar chali gayi thi laite hue 20 minute ho gaya tha abb Sameer
ko neend aane hi wala tha ki phone ki ring tone ne uska neend tod diya usne
mobile ke screen me dekha to Mahesh ka number tha
Sameer:- ye gadha kabhi kabhi hi phone karta hai aur jab bhi karta hai manhoos
wakt me hi karta hai mujhe pata hai abb ye koi manhoos baat hi bataane wala
hai phone me itna keh kar Sameer ne phone utha liya aur kaha
Sameer:- han bol itna keh kar Sameer ne phone kaan me laga liya dusri taraf se
Mahesh ne ek manhoos baat bataya Sameer ko baat manhoos to bilkul bhi nahi
tha lekin Sameer ke liye manhoos baat se kam nahi tha uska saara neend
gaayab ho gaya aur na khush aawaj me usne bolna suru kiya
Sameer:- nahi bilkul nahi main kahi nahi jaaunga ghar se baahar nikalne ka
mann nahi hai
Mahesh:- please yaar bohat din baad kahi saath jaa rahe hai aakhiri baar bba ke
last year me tour me saath gaye the tab se aaj tak 3 saal ho gaya hai life me itne
busy ho gaye ki kahi baahar ghumne gaye hi nahi aaj dimaag me aaya ki wakt
aur haalat dono badal gaya hai kyu na kahi baahar jaaye ghumne ke liye mind
fresh ho jaayega aur boring jindagi me firse maja aa jaayega
Sameer:- mera mind ek dam fresh hai na koi tension aur na hi koi problem mera
last tour mba last tour me tha aur wo itna ghatiya tour tha mera life ka ki main
bata nahi sakta (wohi tour jab Karan ne Sameer ka ghadi churaya tha ) abb to
mujhe tour aur kahi baahar ghumne jaane me koi interest bhi nahi hai aur agar tu
chaahta hai ki teri boring jindagi me majaa aajaaye to kamine gf bana le uske
baad jindagi maje me beet jaayega
Mahesh:- banaya to tha aur ussi wakt se jindagi ekdam boring aur bojh jaisi ho
gayi hai breakup ke pehle ke kuch din tak samajh me hi nahi aa raha tha ki kya
karu aur kya na karu jeene ka makshad tak pata nahi tha suicide karne tak ka
soch liya tha lagta tha jindagi me sab kuch haar gaya hun lekin kisi tarah nahi kar
paaya job karne laga khud ko uss haalat se nikaalne ke liye aur busy rehne laga
tab se aaj tak wohi haal hai jindagi ke puraane din jab ham saath me hanste the
masti karte the ek dusre ka majaak udaate the ladte the sab kuch miss kar raha
hun Sameer ne anjaane me kahi hui baton se Mahesh apne ateet me chala gaya
ek aisa ateet jo wo aaj tak bhula nahi paaya tha aur baar baar uss yaad me
tadapta rehta tha
Sameer:- sorry yaar anjaane me fir se tera bhara hua jakhm tajaa kar diya
Sameer ne pachtaate hue kaha usne Mahesh ki aawaj me pehle wala dard
mehsus kiya usko Mahesh ko samjhaane ke liye koi baat bhi nahi mil raha tha
Mahesh:- koi baat nahi aadat ho gaya hai 3 saal ho gaya hai khud ke feeling par
control karne ki aur aage badhna sikh liya hai 1 ghanta baad sab thik ho jaayega
bhul jaaunga puraane kadwi yaadein
Sameer:- maana padega yaar bohat strong hai tu andar se itna pyar ke baawjud
tujhe dhokha mila lekin tu fir bhi aage badhta raha Sameer ne Mahesh ki taarif
karte hue kaha kehne ke liye uske paas isse jyada lafz baaki nahi tha Sameer
abb yahi chaahta tha ki kisi tarah topic ko badal kar dusri topic par baat karne ke
liye wo baatein soch hi raha tha ki kuch hi der me Mahesh ne kaha
Mahesh:- tu keh raha tha ki koi girl friend banaunga to jindagi maje me beet
jaayega kuch sochte hue Mahesh ne kaha
Sameer:- han kya galat kaha? Sameer ko Mahesh ki baat ka matlab samajh me
nahi aaya itna to wo jaanta tha ki Mahesh ki har baa ke piche koi na koi matlab
jarur hota hai wohi matlab Sameer jaane ki koshish kar raha tha
Mahesh:- tu itna yakin ke saath kaise keh sakta hai aaj se pehle to tune mujhse
pyar aur gf wali topic par kabhi baat nahi kiya hai pehle to tu inn sabse dur rehta
tha aur aaj tu mujhe gf banana ki suggestion de raha hai itna badlaaw kaise aaya
tujh me aur tera soch me kahi tune koi gf to nahi banaya aur tub hi mujhe aise
suggestion de raha hai daal me jarur kaala hai? Mahesh ko Sameer par abb
doubt hone laga lekin usse kya pata tha ki usne daal me kaala nahi dekha hai
balki pura daal hi kaala ho gaya hai Mahesh ki baatein sunne ke baad Sameer
ke dimaag ne kaam karna band kar diya wo soch bhi nahi sakta tha ki Mahesh ki
baat me itna bada matlab hai Mahesh ki baato ka jawaab to Sameer ke paas bhi
nahi tha wo to abhi tak issi baat ko soch raha tha ki Priya uski bas friend hai ya
wo Priya se pyar karne laga hai
Sameer:- kuch jyada hi soch raha hai mera dil koi itna aasani se nahi chura sakti
hai mere bhai main soch raha tha ki wakt ke diye hue jakhm ko wakt hi bharta hai
issi liye tujhe wo suggestion diya tha lekin tera dimaag kuch jyada hi fast chalta
hai Sameer ne topic badalte hue kaha
Mahesh:- lekin tu itna hakla kar kyu jawaab de raha hai Mahesh ne muskuraate
hue pucha
Sameer:- wo iss liye kyu ki mujhe abb neend aa raha hai neend me acche se
jawaab nahi de paa raha hun abb kal baat karte hai good night Sameer ne baat
khatam karne ki koshish kiya
Mahesh:- aise kaise good night pehle bol kit u bhi ghumne ke liye jaa raha hai
Mahesh ne jaise kasam khaa liya tha ki wo Sameer ko bhi apne saath lekar hi
jaayega
Sameer:- yaar fir ghuma fira kar baat wohi le aaya Sameer ne maayus aawaj me
kaha
Mahesh:- baat to wohi tha tera bakwas baato ne topic ko divert kar diya
Sameer:- yaar tujhe main hi ek bakra mila hun kya kisi aur ko jaa kar dhund kyu
mera sukhi aur shaanti se bhara hua life ko barbaad karna chaahta hai Sameer
ne pareshaan hone ki acting karte hue kaha wo Mahesh ko direct naa bhi nahi
keh sakta tha lekin usko ghar chhod kar baahar jaane ka mann bhi nahi tha
Mahesh:- ek bakra ko pehle hi fasa chukka hun Rajesh abb dusra bakra yani
tujhe fasaane jaa raha hun
Sameer:- kya Rajesh jaane ke liye taiyaar ho gaya? kaise mana liya tune usse?
abhi abhi uska aur Divya ka pyar ki gaadi aage badha hai aur wo tere saath iss
bakwas topic par jaane ke liye taiyaar ho gaya? Sameer ne chaunkte hue kaha
Rajesh ka Mahesh ke saath jaane ke liye maan jaana bohat hairaani ka baat tha
Sameer ke liye
Mahesh:- wo khud aane ke liye ready nahi tha mujhe ready karna pada abb ussi
tarah se tujhe bhi ready kar raha hun aur jyada jaankaari ke liye tu ussi se puch
lena Sameer abb kuch bol bhi nahi paa raha tha uske paas abb koi idea nahi tha
jisse wo iss tour me jaane se bach jaata achanak uske dimaag me ek idea aaya
Sameer:- main chaah kar bhi tere saath nahi chal sakta hun maa ko fever hai
yaar mujhe hi unka khayal rakhna padega sorry yaar itna keh kar Sameer bohat
khush ho gaya usse pata tha ki Mahesh uski iss baat par kuch nahi keh paayega
Mahesh:- main kal jaane ki baat nahi kar raha hun 1 week baad ka program hai
abb Mahesh ne Sameer ki sabhi darwaaja band kar diya kuch der sochne ke
baad Sameer ko kehna hi pada
Sameer:- chal thik hai ek aur ehsaan kar deta hun tujh par Sameer ko na
chaahte hue bhi kehna pada bohat dino baad uske aur Priya ke bich acche se
baat hone laga tha aur ghar me sab kuch thik thaak chal raha tha aur abhi
Mahesh ka phone karke 1 week ka tour par chalne ki baat usse bilkul bhi pasand
nahi aaya lekin wo bhi kya kar sakta tha ek majburi bhi tha bohat dino baad
Mahesh ne usse kuch karne ke liye kaha tha direct mana bhi nahi kar sakta tha
Mahesh:- that’s my friend jaanta tha tu majaak kar raha hai socha nahi that u itni
jaldi maan jaayega waise koi problem to nahi hai Mahesh ne khush hokar kaha
Sameer:- (in his mind) agar koi problem hoga to bhi tu thodi na samjhega itna
samjhaaya lekin tujhe majaak lag raha hai sab kuch abh tujhe thodi keh sakta
hun ki kuch din main ghar me hi reh kar Priya se baatein karna chaahta hun tera
iss tour ke program ne sach me mood off kar diya hai Sameer ka ye soch
Mahesh ki baato se hi tuta
Mahesh:- hello
Sameer:- nahi koi problem nahi hai Sameer ne jabardasti kaha
Mahesh:- to fir thik hai ready ho jaa next week challenge tour me fir se puraani
yaado ko dohraayenge aur bohat masti karenge Mahesh ki baato me Sameer ne
bohat dino baad excitement mehsus kiya
Sameer:- ok thik hai yaar location aur date message kar dena
Mahesh:- thik hai yaar itna keh kar Mahesh ne phone kaat diya
Sameer:- (in his mind):- keh to diya lekin jaane ka mood bilkul bhi nahi hai 1
week tak bore hona padega
Sameer yahi sab soch kar pareshaan ho raha tha tabhi dusre khayal uske
dimaag me aaya
Sameer:- (in his mind) lekin accha bhi lag raha hai Mahesh me aaya hua iss
badlaaw ko dekh kar abb ye bhi pehle ki tarah life ko enjoy karna chaahta hai
warna iska life ghar aur office tak hi tha tera iss khushi ke liye 1 week to kya 1
month bhi bore ho sakta hun bohat dino baad tere liye kuch karne ka mauka mila
hai ye soch aate hi Sameer mentally prepare ho gaya tour par jaane ke liye
Agle din Sameer office ki kaam ki wajah se dinner ke liye bohat late ho gaya tha
usne pehle hi ghar par phone karke bata diya tha ki wo dinner time me hi aayega
aur apne kahe hue baat jaise hi wo dinner time me hi apne ghar pahuncha ghar
ke andar jaate hi dekha dinner ki taiyaari ho raha tha wo bhi jaldi hi fresh ho kar
baith gaya chair me khaane ke liye
Sameer:- maa abb aapki tabiyat kaisa hai? chair par baithte hi Sameer ne pucha
subah jab wo office ke liye nikla tha tab uski maa ki tabiyat me sufhaar ho raha
tha lekin iss wakt unki taiyat ke bare me usse pata nahi tha
Mrs Sharma:- thoda sa bukhaar tha dawaai khaane ke baad thik ho gaya (Priya
ki taraf dekhte hue) dawaai khaane ki jarurat bhi nahi tha aise hi thik ho jaati lekin
isne jidd karke dawaa khilaaya
Sameer:- (to Priya) thanks maa ko jidd karke dawa khilaane ke liye pata nahi
tumhaari baat kaise maan liya aaj tak shaayad hi mera koi jidd maana hai inhone
Sameer ne Priya ko fir se dil se sukriya kaha
Mrs Sharma:- jidd ko manana har kisi ki bas ki baat nahi hota hai tera bas a to
bilkul bhi nahi hai Priya se jaake sikh Mrs Sharma ne bhi majaak karte hue kaha
Sameer:- jaise aap sabhi ki iccha(choice) jald hi training lunga Sameer ne bhi
muskuraate hue kaha
Priya bhi apni taarif par bohat khush thi sabhi ke saamne wo kuch bol nahi paa
rahi thi lekin Sameer aur Mrs Sharma ki taarif se wo bohat khush ho gayi
Mr Sharma:- aaj itna late kyu hua office me? kuch der ki khaamoshi ko tod kar
topic badal kar Mr Sharma ne pucha unki aawaj me aaj koi bhi gussa aur
rukhapan nahi tha unhone aise hi normal tarike se pucha
Sameer:- aaj office me resignment ke process me thoda time lag gaya Sameer ki
iss baat se sabhi ko hairaani hua
Mr Sharma:- resignment lekin kyu?
Sameer:- main wo job nahi karna chaahta hun abb koi acchi si job dhundne ka
soch raha hun jaldi se aaj bohat din ke baad office gaya to office walo ne mujhe
nikaalne ki baat kiya tha issi liye maine socha khud hi resign kar deta hun waise
bhi maine wo job time pass ke liye kiya tha itna padhne ke baad aur acche marks
lane ke baad wo job karne ka koi sochta bhi nahi hai jald hi apne laayak ka job
dhundta hun Sameer ne apni baat bataya usse thoda dar bhi lag raha tha ki kahi
Mr Sharma fir naaraj na ho jaaye
Mr Sharma:- koi baat nahi dusra job dhund lena lekin iss tarah se tujhe resign
nahi dena chaahiye tha acche se tujhe unhe office na aane ki wajah samjhaa kar
respectfully resign karna chaahiye tha har chij me discipline jaruri hai Mr Sharma
gussa to nahi the lekin unhone Sameer ko samjhaate hue kaha
Sameer:- maine koshish kiya tha samjhaane ka lekin wo log sunne ko taiyaar
nahi the issi liye resign kar diya taaki baat aage na badhe
Mr Sharma:- ok thik hai abb aage ka kya program hai? kab se next job join kar
raha hai?
Sameer:- next job join karne me abhi thoda time hai isse pehle soch raha hun ki
Mahesh ke saath 1 week ke liye ek tour par jaane ka soch raha hun bohat dino
ke baad usne kuch kaha hai mujhse Sameer ka 1 week ke liye tour par jaane ka
baat Priya ko bhi accha nahi laga Sameer ki tarah wo bhi soch rahi thi ki bohat
dino ke baad sab kuch thik ho gaya hai aur fir aise me Sameer ka iss tarah
baahar jaane ka sochna wo bhi 1 week ke liye usne socha ki wo Sameer se raat
me iss topic par acche se baat karne ke liye
Mr Sharma:- accha thik hai mujhe koi problem nahi hai lekin kis baar kuch galat
mat karna aadat ho gaya hai tujhe jab bhi tour par jaata hai kuch na kuch galat
karke hi aata hai Mr Sharma ne hanste hue kaha Sameer bhi samajh gaya ki wo
majaak kar rahe hai Sameer ne unki baat ka jawaab muskura kar diya tour ke
liye 1 week ka time baaki tha Sameer ne job se resign kar diya tha abb karne ke
liye uske paas kuch nahi tha din me 2 3 baar Priya se baatein karne ke liye
mauka mil jaata aur wo ussi me khush tha har beet te din ke saath uske dil me
Priya ke liye feelings aur badhne laga ye baat wo bhi mehsus kar raha tha ki
uska aur Priya ke bich dosti bohat gehra ho chuka hai lekin wo apne pyar ke
ehsas ko mane ke liye abhi bhi taiyaar nahi tha raat me chhat me baat karte hue
aur din bhar kisi tarah time pass karte hue ye 1 week bhi beet gaya abb usse na
chaahte hue bhi tour ke liye jaana tha usne kisi tarah fir se khud ko prepare kar
liya tour ke liye
Agle din Sameer subah hi apne bike se nikal pada tour ke liye Rajesh aur
Mahesh ne bhi bike se hi jaane ka decide kiya teeno dost ne pehle hi bus stand
me aane ka decide kiya tha aur wohi se teeno ne apne safar ke suruwat karne ka
decide kiya tha kuch der baad Sameer bus stand pahunch gaya wo abhi akela hi
tha Rajesh aur Mahesh abhi tak nahi pahunche the waha par 15 minute ke baad
Rajesh aaya Sameer ko dekhte hi Rajesh ki chehre me ek alag sa smile aaya
aate hi usne Sameer se pucha
Rajesh:- jyada wait to nahi karna pada na? Rajesh ne muskuraate hue pucha
itna wait karne se Sameer pehle hi frustrated ho gaya tha fir bhi gusse ko control
karte hue usne kaha
Sameer:- dekh bhai pehle hi mood off hai abb jyada dimaag kharaab mat kar
Rajesh:- aaj ke din me bhi tera mood off hai chehre pe thoda smile laa yaar aise
din roj roj nahi milte
Sameer:- aisi bakwaas din na aaye to hi accha hai Mahesh ke liye chalne ke liye
taiyaar ho gaya warna aisi bakeaas tour ke bare me soch bhi nahi sakta Sameer
ki baat se hi pata tha ki wo kitna frustrated hai Sameer ke baat sun kar Rajesh ke
chehre me fir se smile aa gaya ek aisa smile jo bata raha tha ki uska koi plan
kaamyaab hone wala hai jald hi
Rajesh:- bakwaas tour tour kab se bakwaas hone laga bey?
Sameer:- ye bakwaas tour hi to hai mere paas aur koi kaam nahi hai kya jo aise
bakwaas tour me time waste karu?
Rajesh:- tune to abb job se bh resign bhi kar diya abb tere paas kya kaam baaki
hai? Rajesh ne Sameer ko aur ukshaate hue kaha
Sameer:- han office ka kaam nahi hai ghar ka to hai na Rajesh ki sawaal ne
Sameer ko soch me daal diya jawaab dene ke liye fir bhi usne kisi tarah jawaab
diya
Rajesh:- wo to tere papa karte hai ghar ke liye kharche ke kaam and I am sure
baaki ke ghar ke kaam jaise khaana pakana kapde dhona ghar saaf karna tu
nahi karta hai to fir tu ghar me kya kaam karta hai Rajesh ki iss sawal ne Sameer
ko uski hi baato me fasa diya abb usse koi jawaab nahi mil raha tha wo ye to
nahi keh sakta tha ki Priya se baatein karna uska kaam hai
Sameer:- hai kuch kaam jo tere samajh se baahar hai kisi tarah baat sambhaalne
ke liye Sameer ne kaha
Rajesh:- mere samajh se baahar hai aisa kya kaam karta hai tu? Rajesh bhi
jaanta tha ki Sameer abb uski baato me fass gaya hai aur wo Sameer ko aasani
se apne jaal se baahar nikalne dena nahi chaahta tha
Sameer:- kya har baat jaana jaruri hai waise bhi aaj ke din to dimaag kharaab
mat kar yaar pehle hi mood off hai aur upar se teri baatein aur paka raha hai
Sameer ne iss baar gusse ke saath kaha apna bachaaw ke liye usse yahi idea
sabse best laga Sameer ki baat se Rajesh ko laga ki abb Sameer ko jyada
ukshaana bhi thik nahi hai lekin Sameer ka frustration dekh kar uske chehre me
fir se wohi kutil muskaan aa gaya Sameer ka bhi najar Rajesh ka chehra par nahi
tha aur usne kabhi Rajesh ka chehra padhne ka aur uski baato ke piche ka
matlab samajhne ka koshish nahi kiya kuch der tak dono ke bich ek gehra
khaamoshi chaa gaya Sameer ka mood off tha aur Rajesh jyada bolna nahi
chaahta tha achaanak hi Sameer Rajesh ki taraf muda aur muskuraate hue usne
Rajesh se pucha
Sameer:- sach bata kya tu apni khushi se iss tour par aaya hai? Rajesh ko
samajh me nahi aaya ki Sameer ka iss sawaal ka kya matlab hai wo khud me hi
uljha tha ki Sameer ne hi kaha
Sameer:- mere saath saath usne tera bhi acche se band baja diya mera to bas
tour me jaane ka mood nahi hai lekin tera to aur bura haal kar diya usne pyar ka
suruwat acche se hua nahi ki tujhe bhi apne saath ghasit kar le jaa raha hai itna
keh kar Sameer Rajesh ki haalat par hasne laga acche se hansne ke baad usne
Rajesh ko dekha
Rajesh:- sach kahu to mujhe bhi ye tour ka idea bakwaas hi lag raha hai lekin
bohat dino ke baad usne kuch kaha hai karne ke liye to maana hi pada dosti ke
liye hi taiyaar ho gaya Rajesh ne Sameer se itna kaha aur apne mann me khud
se kaha
Rajesh:- (in his mind) han jo kar raha hun dosti ke liye hi kar raha hun
Sameer:- yahi wajah tha mera bhi tour me jaane ke liye warna aisi tour par jaane
ka sochta bhi nahi
Rajesh:- 3 ya 4 din ki hi to baat hai fir uske baad sab thik ho jaayega Mahesh bhi
khush aur sabhi khush
Rajesh:- (in his mind) ye 3 4 din hi kaafi hai iss plan ko successful banana ke liye
Sameer tera frustration hi kaafi hai hamaare plan ko kaamyaab banana ke liye
hame jyada kuch karna bhi nahi padega bas aag me ghee daalne ki jarurat hai
Rajesh yahi sab soch raha tha ki Mahesh bhi aa gaya Mahesh jab Sameer aur
Rajesh ke paas pahunch kar bike se utra tab Sameer ne kaha
Sameer:- aa gaye bhai sahab? Sameer ne kuch iss tarah se kaha jaise wo
Mahesh ke late aane par bohat gussa tha
Mahesh:- sorry yaar thoda late ho gaya Mahesh bhi Sameer ki baat ka matlab
samajh gya aur usne muskuraate hue maafi maanga
Sameer:- raat me phone karke tune hi kaha tha kisi tarah 8:00 am par pahunch
jaane ke liye lekin tu khud 9:00 am par aa raha hai aur 1 ghante tak iss Rajesh ki
baatein sun kar pak gaya hun Sameer ne frustrated ho kar kaha
Mahesh:- traffic me fass gaya tha Mahesh isse aage kuch kehta usse pehle hi
Sameer ne usse rok kar kaha
Sameer:- naa tu school student hai aur naa main teacher aisi ghatiya excuse
dene ki jarurat nahi hai pehle hi late ho gaye hai abb aur der karna thik nahi hai
hill station jaana hai aur wo bhi 200 km dur baaki ki baatein baad me bhi hota
rahega filhaal hame safar ka suruwaat karna chaahiye Sameer ki baat par kisi ne
kuch nahi kaha sab bike par baith gaye aur start karne hi lage the ki Sameer ne
hi kaha
Sameer:- 5 minute ruko main kuch cold drinks lekar aata hun raaste me jarurat
padega cold drinks aur bike ki safar maja aayega itna keh kar Sameer bike se
utar gaya aurkisi ki baat sune bina shop ki taraf chala gaya Sameer ke kuch der
pahunchne ke baad Mahesh ne Rajesh se pucha
Mahesh:- kya kya hua ye ek ghante me?
Rajesh:- mujhe yakin hai bohat jald hamara plan successful ho jaayega Sameer
abhi se frustration me hai jo bohat jaruri hai
Mahesh:- nice waise ham thik kar rahe hai kya kahi bhi kuch galat ho gaya to
bohat mushkil ho jaayega tune hi plan kiya tha iss tour ka maine kisi tarah se
Sameer ko manaya hai agar plan me kuch bhi gadbad ho gaya to main fass
jaaunga sabse pehle Mahesh apne soch me uljha hua tha wo abhi tak soch nahi
paaya tha ki usne job hi kiya hai thik kiya hai ya galat
Rajesh:- arre kuch galat nahi hai yaar tu bekaar me dar raha hai maine sab kuch
soch liya hai kya karna hai aur kaise karna hai bas tujhe mera saath dena hai
Rajesh ne confidence ke saath kaha iske baad dono ke bich koi bhi baat cheet
nahi hua baat karne ke liye koi topic bhi nahi tha aur Sameer ka aane ka bhi dar
tha kuch der ke baad Sameer bhi coke ka 3 bottle lekar aa gaya aur chal pade
apne safar ke liye

2 days later
Sameer hotel me apne room me khidki ke paas khada tha wo baahar ki taraf
dekh raha tha lekin uska dhyaan baahar ki taraf bilkul bhi nahi tha wo apne soch
me khoya hua tha ek gehri soch jo usko 2 din se bechain kar raha tha
Sameer:- (in his mind) ye kya ho raha hai mujhe kabhi itna bechaini nahi hua
lekin ye 2 din se lag raha hai ki life me kuch miss kar raha hun kuch karne ka
mann nahi karta aur naa hi baahar ghumne ka dono ke saath ghumne se bhi
yahi feel ho raha hai ki jaise main koi duty nibhaa raha hun ye tour bilkul bhi tour
nahi lag raha hai bohat bore feel ho raha hai pata nahi kab tak aise hi bore hota
rahunga shaayad ghar se dur aane ki wajah se aisa hua hoga lekin ghar se to
bohat baar dur raah hun mahino tak ye 2 din me itna bechaini home sickness ki
wajah nahi hai kuch aur hi baat hai jo mujhe samajh me nahi aa raha hai agar
aise hi yaha raha to pakka paagal ho jaaunga mujhe yaha se nikalna hi padega
itna sochne ke baad Sameer ne time dekha shaam ka 5:00 baj raha tha
Sameer:- (in his mind) abhi dono soo rahe honge sin bhar ki thakaan ki wajah se
kal hi bataaunga dono ko abb main yaha aur ruk nahi sakta lekin wajah kya
bataaunga iss bare me socha bhi nahi hai lekin yaha aur din beeta bhi nahi
paaunga 2 din beeta liya wo bhi bohat hai saaf keh dunga ki main yaha aur nahi
ruk sakta agar dono ne mana kiya to bhi unki baat nahi maanunga abb bohat ho
gaya Sameer ne decide kar liya ki wo kal pakka yaha se chala jaayega wo time
pass karne ke liye apna mobile on karta hai mobile on karte hi screen me Priya
ka 2 missed call dekhta hai dono hi missed call kuch ghante pehle ka tha
Sameer:- 2 missed call aaya hai aur mujhe pata bhi nahi chala ye tour sach me
bohat hi ghatiya aur manhoos tour hai mere liye kuch bhi accha nahi ho raha hai
iss tour me itna kehne ke baad Sameer Priya ko call lagaata hai lekin Priya ki
mobile switch off hone ka reply aata hai wo ek do baar aur try karta hai lekin
same reply switch off Sameer ko samajh me nahi aa raha tha ki aisa kyu ho raha
hai aaj se pehle to kabhi phone karte wakt Priya ka mobile switch off hone ka
reply nahi aaya tha lekin abhi kya hua uske mobile ko issi bare me sochte hue
Sameer 15 minute tak wait karta hai 15 minute baad usne fir phone kiya lekin
wohi reply issi tarah Sameer ek ghante tak try karta hai lekin phone nahi lagta
abb Sameer ko bechaini ke saath ghabraahat bhi hone lagta hai
Sameer:- ek ghante tak phone switch off hi hai kahi koi problem to nahi hai abb
to dar bhi lag raha hai kya karu kuch samajh me bhi nahi aa raha hai kis tarah se
ghar ke bare me pata karu ghabraahat me Sameer ka dimaag acche se kaam
bhi nahi kar raha tha mushkil se usse apne maa ko phone karne ka idea aaya
usne jaldi se maa ko phone lagaya maa ne jaldi hi phone uthaa liya Sameer ne
bhi apne ghabraahat par kaabu karke ghar ke bare me puch liya jab uski maa ne
bataya ki sab thik hai tab usse thoda raahat mila kuch der baat karne ke baad
usne phone cut kiya
Sameer:- thanks god sab kuch thik hai shaayad battery low hone ki wajah se
Priya ka phone switch off ho gaya hai main bhi kuch jyada hi dar gaya tha itna
keh kar Sameer ne mobile ko bed ke ek kone me rakh kar rest karne laga
In Rajesh’s room
Mahesh bhi Rajesh ke room me abhi abhi aaya tha din bhar Sameer ke saath
rehne ki wajah se dono thik se baat bhi nahi kar paaye the dono ko abhi iss bare
me baat karne ka mauka mila tha
Rajesh:- yaar bohat late kiya tune main 15 minute se tera hi wait kar raha hun
Mahesh:- ek phone aaya tha ussi me thoda wakt lag gaya
Rajesh:- kya socha tune Sameer ke bare me? Rajesh ne sidha matlab ki baat
kiya
Mahesh:- matlab? Mahesh ko Rajesh ki baat saaf samajh me nahi aaya
Rajesh:- tu kya soch raha hai kya agle chaal chalne ka wakt aa gaya hai? Rajesh
ne agla kadam uthaane se pehle ek baar Mahesh se puch lena thik samjha
Mahesh:- shaayad haa maine Sameer ka bechaini to ye 2 din me saaf mehsus
kiya hai yakin ke saath to nahi keh sakta lekin mujhe lagta hai ye sahi wakt hai
hame apne kaam karne ka
Rajesh:- to fir chal Sameer ke room me
Mahesh:- lekin risk bhi bohat hai Sameer ko pata chal sakta hai ki ye hamaara
planning hai agar usse pata chal gaya to hame usko vishwaas dilaana bohat
mushkil ho jayega Mahesh ne thoda darte hue kaha
Rajesh:- tu kitna darta hai yaar mera yakin kar aisa kuch nahi hoga hamne pehle
hi acche se planning kar liya hai ki hame kya karna hai tu dar mat apni baat kuch
iss tarah se kahunga ki usse ham par bilkul bhi shak nahi hoga aur ye mat bhul ki
ye hamaara farz bhi hai Rajesh be Mahesh ko yakin dilate hue kaha
Mahesh:- abb suruwaat kar hi diya hai to ending bhi kar hi dete hai itna kehne ke
baad Rajesh aur Mahesh dono Sameer ke room ki taraf chale jaate hai Sameer
ke room ke pass pahunch kar Rajesh gate knock karta hai gate locked nahi tha
aur thoda sa khul jaata hai Rajesh gate ko thoda aur dhakka de kar khol deta hai
aur bina puche hi andar chala jaata hai Mahesh bhi uske piche piche aa jaata hai
dono ko ek saath room me aata dekh kar Sameer ko samajh nahi aata ki dono
iss wakt iss tarah se kyu aaye hai
Sameer:- tum dono Sameer isse aage kuch bolta usse pehle hi Rajesh ne kaha
Rajesh:- ek jaruri baat bataana tha issi liye aaye hai Rajesh ne serious ho kar
kaha Sameer bhi sochne laga ki aise achanaak Rajesh kya bataane aaya hai aur
wo bhi jaruri baat
Sameer:- kya baat hai? Sameer ne bhi serious ho kar pucha
Rajesh:- mera Divya se baat hua tha kuch der pehle usne Priya ke bare me
bataya Priya apne ghar jaana chaahti hai aur wohi se tujhe divorce degi Rajesh
itna keh kar chup ho gaya abb wo Sameer ka reaction dekhna chaahta tha
Sameer ne jaise hi ye baat suna usko bohat bada jhatka laga wo kuch bhi react
nahi kar paa raha tha Priya ka divorce dene ki baat se uske dimaag me bohat
saare soch aur sawaal paida kar diya sabse pehle to usse Priya ka iss achaanak
se liya hua faisla ka wajah samajh me nahi aaya lekin dusre hi pal uske dil me
achanak ye dar aaya ki Priya abb usse dur jaa rahi hai pehli baar Sameer ne ye
dar mehsus kiya tha Sameer apne soch me vyast tha aur dusri taraf Rajesh aur
Mahesh uske chehre ki bhaaw ko gaur se dekh rahe the
Rajesh:- Sameer thodi tej aawaj ke saath Rajesh ne bulaaya lekin Sameer
Rajesh ki baat sunne ki haaalat me nahi tha uske baad Rajesh Sameer ke paas
pahunch kar uske kandhe ko hilaa kar bulaata hai tab Sameer hosh me aata hai
Sameer:- han kya hua udaasi se bhari hui aawaj ke saath Sameer bola
Rajesh:- kya hua tu kuch pareshaan sa lag raha hai? Rajesh ne aag me ghee
daalte hue kaha
Sameer:- nahi kuch bhi to nahi Sameer apne dil ki haal chupaane ki koshish kar
raha tha lekin uski aawaj uske dil ki haal ko acche se bata raha tha
Rajesh:- lekin tu itna darte hue aur dheere se kyu bol raha hai?
Sameer:- thoda mood off hai yaar Sameer abhi bhi apne dil ki haal chupaane ki
koshish kar raha tha usse Rajesh ki sawaalo par bohat gussa aa raha tha lekin
wo apna gussa dikhaa bhi nahi sakta tha Priya ki divorce wali baat ki wajah se
usse bohat buraa lag raha tha aur wo kisi se baat bhi nahi karna chaahta tha
Mahesh:- kahi tujhe Priya se pyar to nahi ho gaya? Sameer sambhal nahi paa
raha tha ki Mahesh ne ek aur sawaal puch diya iss sawaal ne Sameer ko fir se
soch me daal diya ek baar fir wo apne aur Priya ke bare me sochne par majbur
ho gaya lekin iss baar maahaul aur wakt kuch alag tha lekin Sameer ki haalat
aisa ho gaya tha ki wo kuch soch bhi nahi paa raha tha dimaag me ek baar me hi
bohat saare alag alag sawaal aa raha tha Priya ka usko chhod kar jaana divorce
wali baat aur wo Priya ke bare me kya feel karta hai aise hi sawaalo se wo
confuse ho raha tha kuch der tak Sameer ne kuch nahi kaha usko aise hi khade
dekh Mahesh ne kaha
Mahesh:- kya soch raha hai Sameer?
Sameer:- kuch nahi Sameer ne bohat dheere se kaha uske aawaj se lag raha tha
ki usse bohat bura lag raha hai
Mahesh:- tu pareshaan sa lag raha hai kya baat hai? Mahesh ki iss baat se abb
Sameer se nahi raha gaya pehle hi wo bohat pareshaan tha aur abb Mahesh ki
baatein usko bohat irritating lag raha tha
Sameer:- pata nahi kya ho raha hai mujhe kuch bhi accha nahi lag raha hai main
kuch der akela rehna chaahta hun
Rajesh:- lekin Rajesh apna baat pura kar paata usse pehle hi Sameer ne kaha
Sameer:- please mujhe kuch der akela chhod do pehle hi dimaag kharaab hua
hai abb kuch sunna nahi chaahta jo bhi kehna hai baad me aa kar kaho lekin
abhi mujhe akela chhod do Sameer ne order dete hue kaha Rajesh ko bhi laga ki
Sameer ko abb aur pareshaan karna thik nahi hoga wo room se baahar ki taraf
nikalne laga Mahesh bhi uske piche piche room se baahar nikal gaya dono ke
room se baahar jaane ke baad Sameer ne gate lock kar diya aur aakar bed par
gir gaya kuch der tak usse kuch samajh me hi nahi aaya ki ye sab kya ho raha
hai aur usse kya karna chaahiye wo bas itna feel kar raha tha ki usse kuch bhi
accha nahi lag raha hai dil me kuch toot ta sa mehsus ho raha tha kuch der baad
usne mehsus kiya ki uski aankho se aansu nikalne lage hain wo jaldi se utth kar
bed me baith gaya apne ungliyon ko aankho ke paas le gaya tab mehsus kiya ki
wo soch me rone laga hai
Sameer:- ( to himself) ye sab kya ho raha hai mujhe itna bura kyu lag raha hai
aur abb to aankho me aansu bhi aa gaya Priya ki jaane ki baat se itna bura kyu
lag raha hai mujhe? kahi mujhe Priya se pyar to nahi ho gaya? khud se hi kiya
hua iss sawaal ne Sameer ko chup kara diya kuch der tak aise hi chup reh kar
sochne ke baad usne fir kaha
Sameer:- shaayad sach me mujhe pyar ho gaya hai aur aage ki jindagi me Priya
ke saath na milne ki wajah se itna bura lag raha hai shaayad mujhe abb Priya ki
aadat si padd gayi hai abb Sameer ne mehsus kiya ki usse Priya se pyar ho
gaya hai abb Sameer fir se apne aur Priya ke bare me suruwaat se sochne laga
abb usko yakin ho gaya ki wo Priya se sach me pyar karne laga hai beete hue
kuch dino ko wo aur acche se yaad karne laga Priya se baatein karne par khush
hona Priya ka chhoti chhoti baato me bhi saath milne par khush hona Priya ki
gaanw ki kuch yaadein aur lagh bhag chhat me roj Priya se baatein karna
Sameer ko abb wo pal baar baar yaad aa raha tha kuch der tak to wo inn yaadon
ki duniya me hi khush hota raha wo apne pyar bhare pal ko chehre me smile ke
saath mehsus kar raha tha lekin jaise hi wo apni yaadon ki duniya se baahar
aaya uske dil aur dimaag me fir se ek niraasha chaa gaya
Sameer:- bohat badnaseeb hun main jab pyar hua tab pyar ka ehsaas bilkul bhi
nahi hua pyar ko dosti ka naam de kar khud ko hi dhokha deta raha kabhi acche
se uss pal ko khul kar nahi jee paaya aur aaj jab iss baat ka ehsaas hua tab
shaayad bohat der ho chuka hai abb Priya meri life se jaa rahi hai main usko
apne pyar ka ehsas dila bhi nahi paaya itne din wo mere saath thi lekin tab
mujhe apne pyar ka ehsas bilkul bhi nahi hua lekin jab aaj usko khone ka dar hai
tab apne pyar ka ehsas ho raha hai kitna unlucky hun main Sameer ne niraash
ho kar kaha kuch der tak wo baithe baithe aise hi baatein soch raha tha achanak
uske dimaag me ek khayal aaya
Sameer:- shaayad abhi bhi der nahi hua hai main kal hi apne ghar jaaunga aur
Priya ko apne dil ki haal bata dunga ki main usse kitna pyar karta hun itna kehne
ke baad Sameer fir chup ho gaya aur fir niraash ho kar bola
Sameer:- fir bhi kya faaida wo kyu rukegi usne pehle hi divorce lene ki baat keh
diya tha mujhse main usse pyar karti hun lekin wo to nahi karti fir kyu rukegi wo
aur itni jaldi main usse kuch samjha bhi nahi sakta kaash mere paas kuch wakt
aur hota Sameer kuch der tak aise hi iss baat ko har tarah se sochne laga lekin
har taraf se usse niraasha hi haasil ho raha tha wo kabhi khud se gussa ho raha
tha ki usse itna der se apne pyar ka ehsaas kyu hua aur kabhi wakt ke kami aur
Priya ko dur jaate dekh bebas sa mehsus karne laga aisi hi baatein sochne ke
baad usne ek faisla le liya
Sameer:- chaahe kuch bhi ho jaaye ek baar mujhe Priya ko apne dil ki haal
bataana hi hoga agar nahi batay to jindagi bhar ghut kar jeena padega aur
jindagi bhar ek pachhtaawa hoga jindagi me pehli baar kisi se pyar hua hai wo
bhi saccha pyar main apne pyar ko aise hi nahi jaane de sakta kuch to karna hi
padega agar pyar kiya hai to propose bhi karna hi padega bhale hi Priya mana
kar de lekin mera dil ka bojh to kam ho jaayega haan yahi thik rahega kal ghar
jaa kar Priya ko har haal me propose karunga aur ye decision uss par chhod
dunga ki aage wo kya karna chaahti hai chaahe to wo mere paas reh sakti hai ya
fir mujh se dur bhi jaa sakti hai main uske kisi bhi faisle ko bina birodh kiye maan
lunga lekin bhagwaan agar ho sake to please Priya ko mujh se alag mat karna
samajh me nahi aata uske bina kaise jiunga uske saath ki aadat pad gaya hai
mujhe Sameer ne faisla lene ke saath saath ek dua bhi maanga abb usse kal ka
intejaar tha Priya ko dekhne ke liye aur usse apne dil ke haal bataane ke liye
usse raha nahi jaa raha tha dar aur kal ki intejaar ki utshukta ke saath usne puri
raat jaagte hue kat liya
Agle din Sameer se abb raha nahi jaa raha tha wo raat bhar subah ka intejaar
kar raha tha aur jab 6:00 baja tab usne khidki se baahar dekha subah ho chuka
hai wo utth kar wash room me gaya aur fresh ho kar aa gaya fresh hone ke baad
wo apna bag pack karne laga tabhi gate par knock ki aawaj aaya Sameer ko
thoda ajeeb bhi laga ki itni subah kaun knock kar raha hai gate par yahi sochte
hue usne jaa kar gate khol diya gate ke baahar Rajesh aur Mahesh the Sameer
ko samajh me nahi aa raha tha ki abb dono fir kyu aaye hai aur wo bhi saath me
Sameer:- tu dono yaha aur iss wakt? thoda hairaani ke saath Sameer ne pucha
Mahesh:- han kuch der baat karna hai tujhse
Sameer:- kaisi baat? aur wo bhi itni subah Sameer ne na khush aawaj me kaha
Sameer ko dono ki maujudi iss wakt bilkul bhi accha nahi lag raha tha
Rajesh:- gate par hi khada reh kar bataau Sameer thoda side hat gaya lekin uske
chehre me frustration saaf dikh raha tha Rajesh aur Mahesh dono hi bed par jaa
kar baith gaye Mahesh kin ajar bed se thoda dur niche packed bag par pada
Mahesh:- Sameer ye room pura khaali dikh raha hai aur bag bhi pack kar liya hai
tune kahi jaa raha hai kya? Mahesh bhi acche se jaanta tha ki Sameer waapas
jaane ki taiyaari kar raha hai lekin wo Sameer ke mouh se hi jawaab sunna
chaahta tha Sameer ko bhi samajh me nahi aaya ki kya jawaab de wo baat
sambhaalne ke liye ye bhi nahi keh sakta tha ki usne aise hi bag pack kiya hai
wo aaj kisi bhi haal me apna ghar jaana chaahta tha aur ye baat wo dono se
chupaa bhi nahi sakta tha
Sameer:- main aaj ghar jaa raha hun issi wakt chhota sa jawaab diya Sameer ne
wo baat karke time waste bhi nahi karna chaahta tha
Rajesh:- iss wakt lekin kyu koi emergency hai kya? sab kuch jaante hue bhi
Rajesh ne anjaan bante hue pucha
Sameer:- nahi koi emergency nahi hai fir bhi jaana chaahta hun frustrated ho kar
fir se Sameer ne chhota sa jawaab diya Rajesh aur Mahesh ki maujudgi aur
baato se uska time waste ho raha tha jo usse bilkul bhi accha nahi lag raha tha
Rajesh:- koi reason to hoga? aise kaise chala jaayega abhi to 2 din aur maje
karenge Rajesh ne hanste hue kaha aur Sameer ko aisa laga jaise Rajesh usse
chhidhaa raha hai
Sameer:- main bore ho gaya hun iss tour se ye bhi koi tour hai naa koi ghumne ki
jagah aur naa hi koi shaant jagah pak gaya hun tum dono ke saath ghum kar abb
aur nahi reh sakta main yaha ghutan si feeling ho raha hai 2 din to kya 2 ghante
bhi nahi rukunga abb yaha Sameer ne iss baar apne saare frustration nikaal kar
kaha ye kehne ke baad wo thoda shaant hua abb wo kisi tarah baat ko khatam
kar key aha se nikalna chaahta tha
Rajesh:- kya yahi wajah hai tera jaane ka? Rajesh ne kuch alag tarah se ghur kar
pucha Rajesh ki iss sawal se Sameer ko ek aur jhatka laga wo kuch bol bhi nahi
paa raha tha apne jaane ki wajah wo bataana bhi nahi chaahta tha wo chup raha
Rajesh:- khaamosh reh kart u baat ko taal nahi sakta acche se jaanta hun yaar
tujhe tu apne jaane ki asli wajah chupa raha hai agar tour boring hone ki wajah
hai to tu iss tour me aata hi nahi agar aa bhi gaya to iss tarah jaane ki baat nahi
karta itna to jaanta hi hun tujhe ki tu aisi choti choti wajah se aisi decision nahi
leta hai jarur koi aur wajah hai kit u yaha rehna nahi chaahta itna keh kar Rajesh
thoda muskuraaya wo jaanta tha ki abb Sameer uski baat nahi taal sakta hai
Rajesh ki baat ne Sameer ko soch me daal diya Sameer ko abb koi bhi baat nahi
mil raha tha kehne ke liye wo chup hi raha aur sochne laga ki wo aise chup to
nahi reh sakta wo pehle hi late ho chuka tha aur wo ye bhi jaanta tha ki Rajesh
aur Mahesh usse sach jaane bina jaane nahi denge wo dono ko sach bataane ka
soch hi raha tha ki tabhi Mahesh ne pucha
Mahesh:- Priya se pyar karta hai na? Mahesh ne mauka dekh kar direct hi puch
diya Mahesh ki baat sun kar Sameer ko ek aur jhatka laga aur usne Mahesh ko
iss tarah se ghur kar dekha jaise usko yakin hi nahi hua
Mahesh:- tu ham se to jhut bol sakta hai lekin khud se nahi abhi tera reaction ne
bhi saabit kar diya ki maine sach kaha hai tune mujhe iss tarah se dekha jaise tu
ye pata karna chaahta hai ki mujhe ye baat kaise pata chala meri baat jhuth hai
aisa reaction bilkul bhi nahi dikhaaya tune ek baat kahunga dost hun tera tera
madad hi karunga agar fir bhi batana nahi chaahta to koi baat nahi aage se iss
bare me baat nahi karunga itna keh kar Mahesh chup ho gaya usse yakin tha ki
abb Sameer usko sab kuch bataayega itna majbur to usne Sameer ko kar hi diya
tha Mahesh ki baat sunne ke baad Sameer ko bhi laga ki usse sacha bataana hi
chaahiye chupa kar bhi koi faaida nahi hoga agar bata dega to wo kuch madad
bhi kar sakta hai aur waise bhi aisi baatein chupaa kar bhi kaha chupta hai?
Sameer:- han main pyar karta hun Priya se Sameer ne abb ye baat maan hi liya
lekin usne ye baat dheere se kaha
Rajesh:- kya? Rajesh ne hairaan hone ka acting kiya wo fir se Sameer ki mouh
se ye baat sunna chaahta tha
Sameer:- haan main Priya se pyar karta hun aur issi wajah se jaana chaahta hun
yaha se iss baar Sameer ne thoda tej aawaj me kaha iss tej aawaj ka matlab tha
wo khule dil se apne pyar ho jaane ki baat maan raha hai
Rajesh:- kya tu sach bol raha hai? Rajesh Sameer ki haalat ka maja lene ka soch
raha tha
Sameer:- tujhe meri baat me kya majaak ya jhuth dikh raha hai? thoda gusse ke
saath Sameer ne kaha apne sache dil se pyar hone ki baat maane ke baad
Rajesh ka ye baat usse bilkul bhi accha nahi laga
Rajesh:- arre cool down yaar yakin nahi ho raha hai ki tujhe bhi kisi se pyar ho
sakta hai?
Sameer:- kyu nahi ho sakta hai mujhe kisi se pyar?
Rajesh:- apne 2 saal pehle ki Sameer ko yaad kar tu hi tha wo jo hamesha kehta
tha ki mujhe kisi se pyar nahi ho sakta aur aaj ke wakt me pyar naam ki koi cheej
hota hi nahi hai na tu pyar ke bare me sochta tha aur chaahta tha ki main bhi
Divya se pyar na karu Rajesh ne Mahesh ko puaani baatein yaad dilate hue kaha
Sameer:- itna to tub hi jaanta hai ki wakt ke saath insaan me bhi badlaaw aata
hai aur main saccha pyar ke khilaaf kabhi nahi tha bas Priya jaisi ladki nahi mili
thi ya fir usse acche se pehchaan nahi paaya tha
Mahesh:- Sameer socha nahi tha yaar tu itna darpok niklega itna wakt ho gaya
tujhe pyar ka ehsas hue lekin aaj tak tune kisi ko nahi bataya pyar kiya to darna
kya Sameer ki maje lene me Mahesh bhi picche nahi rehna chaahta tha
Sameer:- kal raat hi mujhe ehsaas hua apne pyar ke bare me jab pata chala ki
wo mujhse dur jaa rahi hai tab apne pyar ka ehsas hua aur yahi baat main usse
bataane jaa raha tha tabhi tum dono bich me aa gaye waise bhi pehle hi bohat
late ho gaya hun abb to jaane do Sameer ko fir yaad aaya ki wo yaha se jaane
wala hai iss baar usne jaane ki request bhi kiya
Rajesh:- pehle apne chehe ko aayina me dekh iss baar Rajesh ne serious ho kar
kaha
Sameer:- kyu? kya hua?
Rajesh:- tera chehra dekh kar hi bata sakta hun kit u raat bhar soya nahi hai
Sameer:- to kya hua? Sameer ko Rajesh ki baat ki matlab samajh me nahi aa
raha tha
Rajesh:- paagal hai kya jo aisi baatein kar raha hai mujhe yakin hai tu bike se
jaayega ghar kya tu iss tarah se chala paayega bike kuch der baad raat bhar
jaagne ki thakaan aur bike chalaane ki thakaan se neend aane lagega fir kaise
chalaayega bike accident hone ki accha chance hai jaanta hun pyar ka ehsas
hua hai to tu yaha nahi reh paa raha hai jitna jald ho sake utna jald tu Priya ke
paas jaana chaahta hai lekin haalato ka bhi khayal rakh deewana banna acchi
baat hai lekin dimaag ka bhi istemaal kar liya kar kabhi Rajesh ne samjhaate hue
kaha
Sameer:- to fir main bus se chala jaaunga abb mujhse aur nahi raha jaa raha hai
Rajesh:- fir bhi kya faaida hoga saari raaste tu aise hi thakaan ke saath ghar
pahunchega aur kya yahi thakaan se bhara hua shakal le kar jaayega Priya ke
saamne aur propose karega accha maan liya tu aise hi propose kar dega Priya
ko lekin kya kahega meri baat maan tu kuch nahi keh paayega aisi haalat me
thakaan ki wajah se kuch kehna to dur sochna bhi mushkil ho jaayega mera baat
maan kuch ghante soo ja acche se shaam tak aaram se apna ghar pahunch
sakta hai tu aur raat ko acche se apne dil ki baat keh dena Rajesh ne Sameer ko
sabhi haalaton ke bare me acche se samjha diya Sameer ko bhi Rajesh ki baat
sahi laga lekin usse yaha aur ehne ka bilkul bhi mann nahi tha fir bhi kuch der
aur intejaar karna uska majburi ban gaya tha abb usse khud par gussa aa raha
tha ki wo raat bhar kyu nahi soya Sameer ko gehri soch me dekh Rajesh samajh
gaya ki Sameer uski baat jarur maanega
Rajesh:- btw congrats yaar aakhir tujhe pyar ho hi gaya Rajesh ne Sameer ko dil
se congratulate kiya
Sameer:- agar Priya nahi maani to kya faaida mujhe pyar hone ka Sameer ne
thoda darte hue kaha
Mahesh:- kitna pessimistic hai yaar tu kuch to shubh baatein soch mujhe yakin
hai Priya jarur maan jaayegi khair ham dono tujhse jaane aaye the ki tujhe abhi
tak Priya se pyar ka ehsas hun ya nahi hame apna jawaab mil gaya abb tu rest
kar ham dono jaate hai apne apne room me itna keh kar Rajesh aur Mahesh
dono Sameer ke room se baahar nikal gaye
Mahesh:- tune mujhe bataane kyu nahi diya ki hamne Sameer se jhuth kaha tha
ki Priya uske gha se jaane wali hai khud bhi nahi bataya aur jab main bataane
wala tha tab mujhe bhi ishaara se rok diya
Rajesh:- agar bata deta to plan hi bigad jaata agar Sameer ko pata chalega ki
Priya uske paas hi rahegi to usse bohat wakt lag jaayega apne dil ki baat Priya
ko bataane ke liye shaayad itna der ki jab sach me Priya ka jaane ka time aa
jaayega tab wo bataane ka himmat karega Divya ne mujhe bataya hai ki piya bhi
Sameer se pyar karti hai wo Sameer ka proposal kabhi bhi accept kar legi lekin
ye wakt sahi hai ki Sameer darte hue hi sahi jaldi se Priya ko popose kar dega
warna usse propose karne me bohat wakt lag jaayega
Mahesh:- ek baat to accha hua ki ham Sameer ko uske pyar ka ehsas dilaane
me kaamyaab rahe
Rajesh:- hmm aakhi plan kaamyaab ho hi gaya aise hi baatein karte hue dono
apne apne room me chale gaye
Sameer apne ghar raat ke 8:00 baje pahuncha ghar me jaate hi usne dekha ki
sabhi dinner kar rahe the wo bhi jaldi se fresh ho kar aaya aur saath me hi dinner
par baith gaya dining table me piya ko dekh kar usko ek alag sa sukoon mila
bohat wakt beet gaya tha usse baat kiye hue aur usko dekhe bina dinner ke time
me kuch baatein hota raha piya Sameer ko aaj kuch jyafa hi khubsuat lag rahi thi
Sameer apne maa aur papa ko chhoti chhoti jawaab de raha tha apne tour ke
bare me wo dinner ke wakt bhi apne maa aur papa ki najro se bach kar Priya ko
dekhe jaa raha tha wo Priya se baat karne ke liye bechain tha lekin baat karne ke
liye maahaul thik nahi tha usne mobile nikaal kar Priya ko message kar diya kuch
kehna hai tumse dinner ke baad chhat me milunga message sent hone ke baad
Priya ne bhi padh liya aur Sameer ki taraf dekha Sameer ne bhi haa me sar hila
diya Priya apna dinner kar chuki thi aur fir wo chhat me chali gayi Sameer ne bhi
5 min baad apna dinner kar liya au wo bhi chhat par chala gaya chhat ke gate
par pahunch kar Sameer ne dekha ki Priya ek kone me uska intejaar kar rahi hai
Priya ki peeth Sameer ki taraf tha Sameer aage jaane ke liye utshuk tha lekin
uske mann me dar sa paida ho gaya tha wo bohat koshisho ke baad bhi apne
pair aage badha nahi paa raha tha abb usse pata chal raha tha ki apna pyar ka
izahaar karna kitna mushkil hota hai wo apna koshish kar hi raha tha ki Priya
achanak se uski taraf palti Priya ka iss tarah se palatne ke baad Sameer ke paas
abb koi raasta hi nahi bacha abb wo bhi mann me thoda sa dar ke saath Priya ki
taraf badh gaya Sameer dhire dhire Priya ki taraf jaane laga wo aage badhte hue
bas yahi soch raha tha ki usko kya kehna chaahiye aur kaise kehna chaahiye
usne to pehle bohat kuch soch liya tha ki wo kaise propose karega lekin abb
Priya ko saamne dekhte hi uska confidence bohat ghat gaya ek dar bhi usko sata
raha tha ki agar wo Priya ko mana nahi paaya to Priya hamesha usko chhod kar
chali jaayegi yahi sab sochte hue wo Priya ke paas chala gaya
Priya:- han Sameer kaho kya kehna chaahte the tum Priya ne thoda confuse ho
kar kaha wo jab se chhat me aayi thi tabhi se Sameer ke bare me hi soch rahi thi
Sameer 3 -4 din pehle hi aa gaya iss baat se Priya bohat khush thi ye baat uske
liye kisi surprise se kam nahi tha lekin dinner ke wakt wo Sameer ke expression
samajh nahi paa rahi thi Sameer kabhi khush dikhta tha to kabhi pareshaan aur
message me chhat me milne ke baat usse aur confuse kar raha tha bas wo itna
hi samajh paayi thi ki Sameer pareshaan sa hai aur chhat me koi important baat
bataane wala hai aur yahi baat jaane ke liye wo Sameer ka besabri se intejaar
kar rahi thi
Sameer:- ek baat bataana hai tumhe Sameer ne dhire se aur thoda dar ke saath
kaha Priya ke saamne aate hi wo acche se apni baat keh bhi nahi paa raha tha
Priya:- kaho? Priya ne thoda utshuk aur chintit ho kar pucha Sameer ka itna
dhire se bolne se Priya ko lag raha tha ki kuch serious baat hai jo Sameer keh
nahi paa raha hai dusri taraf Sameer bhi fir se himmat jutaa raha tha apne dil ki
haal bataane ke liye wo koshish to kar raha tha apne dil ki baat ko jubaan pe
lane ke liye lekin wo baar baar naa kaamyab ho raha tha wo frustration me baar
baar idhar udhar dekhne laga lekin fir bhi apne dil ki haal bata nahi paa raha tha
baar baar yahi dar Sameer ke mann me aa raha tha ki Priya uske feeling ke bare
me kya sochegi agar usne inkaar kar diya to fir kya hoga aur fir Priya ko khone
ka alag sa dar wo to ye bhi nahi jaanta tha ki Priya uske bare me kya sochti hai
abb Sameer khud ko hi kos raha tha itna der se pyar ka ehsas hone ke liye wo
mann hi mann yahi keh raha tha ki kash thoda aur wakt milta mujhe pehle ye
jaane ki koshish karta ki Priya mere bare me kya sochti hai aur fir main bhi Priya
ko apne pyar ka ehsaas dilaa kar acche se propose kar deta lekin abb wo mauka
bhi nahi hai mere paas kaise apne dil ki haal bataau kuch samajh me nahi aa
raha hai Sameer yahi baat soch raha tha uske sabhi planning par uska ye dar
bhari pad gaya Priya ko apne dil ki haal bataana to dur uski hontho se koi aawaj
bhi nahi nikal paa raha tha wo bas idhar udhar dekh kar khud se hi shikaayat kar
raha tha dusri taraf Priya bhi Sameer ki iss ajeeb si harkat ko gaur se dekh rahi
thi Sameer ki aisi harkat dekh usse kuch bhi samajh nahi aa raha tha ki Sameer
ko aakhir hua kya hai aur kyu aisi ajeeb harkat kar raha hai Sameer ke chehre
me dikh raha dar aur frustration uske samajh me bilkul bhi nahi aa raha tha
Priya:- Sameer jab 15 minute beet gaya aur Sameer ne kuch nahi kaha tab Priya
ko hi usse bulaana pada
Sameer:- han Sameer ne bhi achaanak se Priya ki taraf dekh kar jawaab diya
aur fir apna chehra hata liya abb wo Priya se aankh bhi nahi milaa paa raha tha
Priya:- tum thik to ho na Priya ki aawaj me abb Sameer ke liye fikar tha Sameer
ko aise Priya ne kabhi nahi dekha tha Sameer ke chehre me maujood dar
confusion aur frustration Priya ko bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha Sameer
ne usko chhat me kuch kehne ke liye bulaya tha lekin yaha to Sameer khud hi
ajeeb sa behave kar raha tha
Sameer:- han haa mmain thik hhun Sameer ne haklaate hue jawaab diya abb to
usse Priya ko jawaab dena bhi mushkil ho gaya tha
Priya:- tum kuch bechain lag rahe ho koi problem hai? Priya ka ye sawaal se
Sameer ka haalat aur kharaab ho gaya
Sameer:- nahi kkoi problem nahi hai Sameer ne ye baat to keh diya lekin uska
haklaane ki wajah se aur idhar udhar dekhne se hi Priya ko pata chal gaya ki
Sameer jhuth bol raha hai aur kuch chupa raha hai
Priya:- tum mujhe kuch bataane waale the na lekin tumhe dekh kar to lag raha
hai ki tum khud me hi confuse ho aur hakla kar bol rahe ho Sameer ko abb Priya
ko propose karna to dur usko jawaab dena bhi mushkil ho raha tha abb usse
pata chal gaya ki wo Priya ko apne dil ki baat to nahi keh paayega wo khud se hi
niraash ho kar topic change karne ke liye sochne laga
Sameer:- shaayad thakaan ki wajah se aisa ho raha hai pata nahi kyu abb baat
karne ka bhi mann nahi kar raha hai aawaj me ek niraasha ke saath Sameer ne
kaha ye kehte wakt Sameer ko khud par hi bohat gussa aa raha tha lekin wo
kuch bhi nahi kar paa raha tha itna keh kar usne apna sar jhuka liya
Priya:- main paani le kar aati hun itna keh kar Priya niche jaane lagi Sameer
khud ko hi apne khayaalo me kos raha tha aur wo Priya ki ye baat nahi sun
paaya jab usne dekha ki Priya yaha se jaa rahi hai to usse laga ki Priya uske
jindagi se hi dur jaa rahi hai aur issi dar se usse ek alag hi himmat aa gaya aur
usne thoda tej aawaj me kaha
Sameer:- Priya I love you ek dard bhari aawaj me Sameer ne Priya ko propose
kar hi diya Priya ka uske jindagi se dur jaana usse bardaast nahi ho raha tha aur
issi wajah se uski aankho me thodi aansu bhi aane laga Sameer ko khud
vishwas nahi ho raha tha ki usne ye kaise keh diya lekin usse thoda raahat bhi
mila ki usne apne dil ki baat aakhir keh hi diya hai abb wo bhagwan se pray bhi
kar raha tha ki Priya uske pyar ko apna le dusri taraf Priya ko yakin hi nahi hua
apne kaano par lekin wo jaanti thi ki usne kuch galat suna nahi hai Sameer ka ye
proposal sun kar wo bohat khush ho gayi aur yahi to wo 3 shabd tha jisse sunne
ke liye wo itna bekarar thi abb jaake usse Sameer ka uss bechaini ka matlab
samajh me aaya lekin usse ye abhi bhi samajh me nahi aa raha tha ki Sameer
agar usse pyar karta hai to itna dar kar kyu propose kar raha hai khair wo abhi
iss baat ko sochna nahi chaahti thi abb usse raha nahi gaya usne bhi piche mud
kar Sameer ko dekha jab Priya ne Sameer ko dekha tab Sameer ka chehra hi
bata raha tha ki wo kitna sach bol raha hai lekin Sameer Priya se aankh nahi
milaa paa raha tha usne apna sar jhuka liya lekin agle hi pal uske mann me
khayal aaya maine to apne dil ki baat keh diya hai abb jo hoga dekha jaayega
agar Priya bhi mujhse pyar karti hai to wo mera pyar ko apna legi warna main kar
bhi kya sakta hun mujhe aise dar kar sar ko jhukaana nahi chaahiye pyar kiya hi
hai to kyu daru ek baar aankh me aankh daal kar apna feelings kehta hun aage
uski marji fir Sameer ne apna sar upar uthaaya aur Priya ki aankh me aankh daal
kar kehna suru kiya
Sameer:- han sach hi suna hai tumne pata nahi kyu kaise aur kab se lekin tumse
pyar ho gaya mujhe jab se tumhe acche se jaana hai aur apne bhool ka ehsas
hua hai tab se tum mujhe acchi lagne lagi thi khud par hi gussa aata hai aur
afsos hota hai ki maine tumhe pehchaane me galti kar diya aur tumhe apna
dushman bana liya tha lekin jab se maine asli Priya ko pehchaana tab se mera
soch tumhaare liye ek dam se badal gaya ek pacchtawa sa hone laga tha ki
maine itni acchi ladki ke saath aisa kiya main to apne hi najro me iss tarah gir
gaya tha ki khud hi upar uthhna nahi chaahta tha main khud ko maaf nahi kar
paa raha tha lekin fir bhi tumne mujhe maaf kar diya ek mauka diya khud ki najro
me upar utthne ka main tumhe apna dushman manta tha lekin tumne mera uss
bhool me bhi saath diya jab mujhe kisi ka saath ka bohat jarurat tha aisi haalat
me bhi mujhe apna dost maana tumne shaayad issi wajah se mere dil me
tumhaare liye respect bohat badh gaya aur wakt ke saath tumhaari aur
acchaiyon ka pata chalne laga khaas kar tumhaara mera maa aur papa ke saath
behavior tumne hamesha unka respect hi kiya tumhaare saath itna galat hone ke
baawjood iss wajah se tum mujhe aur accha lagne lagi aur jab main tumhaare
saath tumhaare gaanw jaa raha tha tab jab tum baccho ko khilaa rahi thi tab
mujhe pata chala kit um dil se kitni acchi ho aur tum sach me ek nek dil ladki ho
aur fir tumhaara mujhe maaf kar dena aur roj mujhse baatein karna ek baar
gaanw me jab mujhe haath me chot laga tha tab tumhaara mujhe care karna
mera sabhi problems me saath dena shaayad yahi wajah se mujhe tumse
lagaaw sa ho gaya hai tumse dosti karne ke baad mera tumhaare liye soch ek
dam se badal gaya tumse baatein karna itna aaccha lagta tha ki hamesha
chaahta tha ki tumse baatein karta rahu jab bhi chhat me tumse baat karta tha
tab dil ko ek alag sa sukoon milta tha saari tension aur problem bhul jaata tha aur
tumse baat karne me kho jaata tha tumse apne feelings aur dil ki baatein share
karne me bhi ek sukoon nilta tha aur shaayad issi wajah se umhaara aadat sa
padd gaya hai abb mujhe tum me wo saari baat hai jo mujhe apne patni ke roop
me chaahiye tumhaara mujhe samajhna mujhse acchein se baatein karna meri
feelings ko samajhna aur sahi galat bataana mera saath dena jimmedaarion ka
ehsaas hona aur mere maa aur papa ko izzat dena aur sabse badi baat ki tum ek
saaf dil ladki ho shaayad yahi wajah hai ki mujhe tumse pyar ho gaya itna keh
kar Sameer chup ho gaya Priya usse hi dekh rahi thi Sameer ka baatein aur uske
liye taarif sun kar wo bohat khush ho gayi thi aur thodi si sarma bhi rahi thi
Sameer:- lekin main bhi bewkoof hi hun mujhe tumse pyar ka ehsas kab hua ye
bhi pata nahi hai hamesha iss pyaar ko main dosti ka naam deta raha hamesha
se pyar se dur hi raha hun issi liye shaayad apne pyar ka ehsas bhi nahi hua
lekin jab tumhe khone ka dar lagne laga tab mujhe apne pyar ka ehsas hua tab
mujhe pata chala ki main tumse kitna pyar karta hun aur jab mujhe ye pata chala
ki tum mujhse dur jaa rahi ho to bata nahi sakta kitna bura laga tha mujhe aisa
lag raha tha ki jindagi se sab kuch jaa raha hai aur abb main kuch bhi nahi kar
sakta hun jab aur duriyan bardaast nahi hua to aa gaya tumhaare paas ye
bataane ke liye ki main tumse kitna pyar karta hun lekin pyar ka ehsas hua kuch
hi din hua hai to samajh me nahi aa raha tha ki kaise propose karu aur kaise
apne dil ki haal bataau 15 minute issi bechaini me lag gaya tum mere bare me
kya sochogi iss baat ka bhi dar tha maine aisa kuch kiya bhi nahi hai ki tum mujh
se pyar karogi ulta maine tumhaare saath galat hi kiya hai pata nahi main
tumhaare pyar ke laayak hun ya nahi lekin abb tumhe sacche dil se kehta hun
bohat pyar karta hun main tumse aur tumhaare bina main apne jindagi me aage
ka kuch soch bhi nahi sakta hun agar tumne mera pyar apna liya to ye mere liye
bohat bada khush nasibi hai aur agar tum mujhe chhod kar jaana chaahti ho to
bhi koi baat nahi main tumhaara dono hi faisle ka samman karunga last me bas
itna kahunga ki I love you and without you my life is nothing itna keh kar Sameer
chup ho gaya usne apne dil ki baat keh diya aur Priya ki jawaab ka besabri se
intejaar karne laga aur saath hi mann me dua bhi karne laga
Priya:- Sameer main tumhaare feelings ki respect karti hun lekin main tumhaari
tarah nahi sochti hun main tumhe bas apna dost maanti hun aur tumhaare liye
pyar jaisi feelings nahi hai mere liye Priya itna keh kar mud gayi aur waapas
jaane lagi jaise hi Sameer ne ye suna usko andar ek jordaar jhatka sa laga wo jo
nahi sunna chaahta tha wohi sunna pada lekin abb wo kuch kar bhi nahi sakta
tha wo abb thik se khada bhi nahi reh paa raha tha aur piche ki taraf chalte hue
ek deewar ke sahaare khada ho gaya aankho me abb aansu aane laga Priya bhi
4 ya 5 kadam aage badhne ke baad achaanak se piche mud gayi aur daudti hue
Sameer ko gale laga liya aur kaha
Priya:- stupid I love you too Priya ne bhi feelings ke saath kaha Sameer ko Priya
ki iss baat par jaise vishwaas hi nahi hua lekin Priya ko gale lagta dekh wo
samajh gaya ki usne kuch galat nahi suna pal bhar me saara dard khushi me
badal gaya aur usne bhi Priya ko jor se apne baaho me bhar liya Sameer aur
Priya dono hi iss pal ko acche se mehsus karne lage karib 10 minute baad
Sameer ne kaha
Sameer:- dara hi diya tha tumne aisa bhi koi karta hai kya Sameer ki aawaj se hi
pata chal raha tha ki wo kitna khush haiusse jaise duniya bhar ki khushi mil gaya
tha
Priya:- tumne ye baat bataane me itna der kar diya ye ussi ki sajaa hai Priya ki
baat me Sameer ke liye shikaayat tha Sameer ne Priya ki baat ka koi jawaab
nahi diya wo bas Priya ko apne baaho me mehsus karne laga aur apne pyar aur
sukoon ko mehsus karne laga karib 15 minute tak dono ek dusre ke pyar ko
mehsus kar rahe the yahi to wo pal tha jisse dono ko itne wakt se intejaar tha aur
abb wo iss pal ko dono acche se jee rahe the uske baad Priya Sameer se alag
ho gayi aur Sameer ki aankho me dekhne lagi Sameer ki aankho me uske liye
pyar dekh kar Priya thoda sarmaane lagi usne apna chehra thoda jhuka liya
Sameer:- bohat khubsurat lag rahi ho tum aaj Sameer ka ye dil ki aawaj apne
aap jubaan se baahar nikal gaya Sameer ki iss baat se Priya ki hontho me bhi
muskaan aa gaya muskuraate hue usne kaha
Priya:- pehle khubsurat nahi thi kya? Priya ne fir shikaayat karte hue pucha
Sameer:- nahi tum to hamesha se hi khubsurat ho meri aankhein aur dil hi nahi
pehchaan paaya tha tumhaare khubsurati ko Sameer ne bhi thoda romantic ho
kar kaha Sameer ki iss baat par Priya ko samajh me nahi aaya ki kya kahe wo
chup rahi Sameer bhi chup hi raha usse bhi samajh me nahi aa raha tha usse
kya bolna chaahiye jab dono ke bich ye khaamoshi aur badh gaya tab Priya se
raha nahi gaya
Priya:- kya hua? itne chup kyu ho gaye? iss baar Priya ne Sameer ki aankho me
dekh kar pucha
Sameer:- mujhe vishwas nahi ho raha hai ki ye sach hai ya sapna khud ko yakin
dilaane ki koshish kar raha hun ki ye sach hai Sameer ki aawaj hi bata raha tha
ki wo kitna khush hai Sameer ki baat khatam hone ke baad Priya ne uske haath
ko pakad kar apne taraf kheencha aur thoda jor se pinch kar diya Sameer ki
hontho se thoda ouch ka cheenkh nikal pada aur usne sawaliya najro se Priya ko
dekha
Priya:- abb yakin ho gaya na ki ye sapna nahi sach hai tum hamesha buddhu hi
rahoge itna keh kar Priya khil khila kar hasne lagi Sameer bhi uska ye hansi dekh
kar muskuraane laga aur muskuraate hue usne kaha
Sameer:- tum kabhi nahi sudhrogi baar baa raise hi shock deti ho pehle kaha ki
tum mujhse pyar nahi karti ho aur jaane lagi aur abb achaanak hi pinch kar key
akin dila rahi ho ki ye sach hai Sameer ki baato ka jawaab Priya ne bhi hanste
hue diya
Priya:- ye to mera pyar karne ka style hai Mr Sameer aage dekhte jao aise shock
aur bhi milenge tumhe
Sameer:- bohat hi khatarnaak style hai
Priya:- tumhaara hi choice hai
Sameer:- han mera hi choice hai aur bohat accha choice hai mera life ka sab se
badhiya choice me se ek hai tumhaare issi style se hi to pyar hua hai mujhe
Sameer apne pyar ki taarif karte hue bilkul bhi nahi thak raha tha
Priya:- kya baat hai aaj to bohat bade bade dialogue bol rahe ho Priya Sameer
ko aur ukshaane ki koshish kar rahi thi usse bhi Sameer ka iss tarah baat karna
bohat accha lag raha tha
Sameer:- ye dialogue nahi hai darling mere dil se nikla hua baatein hai Sameer
ne ye to keh diya lekin kehne ke baad usse pata chala ki usne kya keh diya hai
wo fir dhire se bolne laga
Sameer:- pata nahi kya kya bak raha hun jo mann me aa raha hai wo hi bolte jaa
raha hun Sameer ne to bohat dhire se bola tha lekin Priya ne uski baatein sun
liya aur wo Sameer ke iss paagal pan parfir khil khilaa kar hasne lagi Priya ko fir
iss tarah se hansta dekh Sameer bhi saath me hasne laga jab Priya hans kar
shaant hui tab Sameer ne kaha
Sameer:- Priya main aaj khud ko bohat lucky feel kar raha hun tumne jab mera
pyar ko apna liya tab aisa mehsus ho raha hai jaise mujhse duniya bhar ki
khushiyan mil gaya ek alag sa sukoon mil raha hai aaj pata chal raha hai ki pyar
ka jindagi me kya matlab hai jab college join kiya tha shaayad ye sukoon main
miss kar raha tha aaj iska ehsas ho raha hai aaj pata chal raha hai ki pyar karna
koi galat kaam nahi hai bas sacche insaan ko chunna jaruri hai aur maine iss
kaam me koi galti nahi kiya hai der se hi sahi lekin mujhe apne pyar ka ehsaas
ho hi gaya aur maine bohat hi acchi ladki ko chuna hai iss baat se main bohat
khush bhi hun soch raha hun ki mujhe jindagi ke sabhi khushi mil gaya hai maa
aur papa ka saath aur pyar tumhaara pyaar aur dosto ka sachha dosti aur bure
wakt me saath maine to itna galat kiya tha tumhaare saath lekin fir bhi mujhe itni
saari khushiyan mil gaya abb yahi soch me hun ki kya main iss khushi ke laayak
hun Sameer ne bohat gambhir ho kar ye baat kaha agar Priya ne usko bich me
na roka hota to wo aur bhi bohat kuch bolne wala tha
Priya:- abb galat soch rahe ho tum bhale hi tumne galti kiya tha lekin jaan bujh
kar tumne koi galti nahi kiya tha aur naa hi tum aisa karna chaahte the tumne
apne galti ko wakt me hi pehchaan kar usko sudhaarne ki koshish kiya issi wajah
se maine tumhe maaf kiya aur yahi acchai shaayad iss baat ki wajah bhi hai ki
mujhe tumse pyar ho gaya aisi kayi khubiyan hai tum me jis wajah se mujhe
tumse pyar hua hai lucky to main khud ko maanti hun jab tum mere life me aaye
tab mera life ek dum se badal gaya pehle bas maa ka pyar aur Divya ka saath hi
tha mere paas lekin jab tum mere life me aaye tab mujhe bohat saari khushiyan
mil gaya saccha pyar aur mera bikhra hua pariwar bhi waapas mujhe mil gaya
main jis khushi chhahti thi wohi khushi aaj mere paas hai ye kehte hue Priya bhi
bohat emotional ho gayi
Sameer:- hmm iss pyar ne hamaare jindagi ko badal diya aur issi pyar se bohat
saari khushiyan bhi mil gaya aaj ye bhi pata chal gaya ki pyar dushmani aur
nafrat se kitna bada hota hai aur pyar se jindagi me kitna sukoon milta hai
Sameer ne ye baat to Priya ko keh diya lekina apne mann me bhi wo sochne
laga
Sameer:- (in his mind) han pyar aur nafrat ke bich koi comparison hi nahi hai jis
din main Priya se badla lene gaya tha aur kaamyaab bhi ho gaya tha tab bhi
mujhe utna chain nahi mila tha jitna aaj mil raha hai sach me pyar mahaan hai
Sameer ne apne mann ki baat Priya ko nahi bataya kyu ki wo ye baat keh kar aaj
ke iss shubh din me Priya ko wo manhoos pal ki yaad dilaana nahi chaahta tha
Sameer:- Priya Sameer ne Priya ko soch me dube hue dekh kar hosh me laate
hue kaha
Priya:- haan
Sameer:- kyu na ham kal coffee peene chale saath me? Sameer ki iss baat se
Priya ke chehre me bhi smile aa gaya
Priya:- matlab indirectly dating ki baat kar rahe ho? Priya ne bhi muskura kar
pucha
Sameer:- keh sakti ho Sameer ne bhi thoda hanste hue jawaab diya kuch der
hasne ke baad wo achaanak ruk gaya aur thoda serious hokar usne Priya se
pucha
Sameer:- Priya tum kuch dino me apne ghar to nahi jaa rahi ho?
Priya:- nahi abhi aisi planning to nahi hai lekin tum ye kyu puch rahe ho? Priya
ne bhi thoda hairaani ke saath pucha Sameer ka ye baat wo bhi iss wakt Priya ko
bilkul bhi samajh me nahi aa raha tha Priya ki iss baat ne Sameer ko chanka diya
aur usko thoda gussa bhi aane laga wo apne mann me sochne laga
Sameer:- (in his mind) iska matlab dono ne mere saath majaak kiya aur aisi
bakwaas majaak wo bhi mre pyar ke saath tum dono ne accha nahi kiya Sameer
apne mann me soch raha tha lekin wo iss soch aur gusse ki wajah se aaj ki raat
ko barbaad bhi nahi karna chaahta tha
Sameer:- nahi aise hi puch diya bohat din ho gaya tumhe apne ghar gaye issi
liye pucha Sameer ne baat badal diya Priya ko Sameer ka ye baat ka matlab
samajh me nahi aaya aur usne bhi iss baat ko ignore kar diya fir dhire dhire dono
pehle ki tarah romantic baatein karne lage iss baat cheet me dono ne dono ko
apne dil ki bohat saari baatein bataya dono apne past ko yaad kar ke hansi
majaak karne lage aur saath me apne future ke bare me sochne lage Sameer bhi
baato me iss tarah kho gaya tha ki wo apna saara gussa bhul gaya aise hi baato
ke dauraan Priya ne mobile me time dekha raat ke 1:00 am baj raha tha tab jaa
kar Priya ko apne neend ka ehsas hua
Priya:- Sameer abb bohat raat ho gaya hai hame abb sone jaana chaahiye
Sameer:- bas 1 hi to baja hai thodi der aur baat karte hai pehle bhi to baat karte
hue 2 3 baj jaata tha aaj to hamaara special raat hai Sameer ki baato se hi lag
raha tha ki abhi tak uska mann bhara nahi hai Priya se baat karne me
Priya:- nahi abb kal baat karenge agar koi upar aa gaya aur kisi ne dekh liya to
Priya ne thoda fikar ke saath kaha Priya ki iss baat par Sameer ne hanste hue
thoda tej bola
Sameer:- kya baat hai madam ko aaj dar bhi lag raha hai pehle to aap jab 2 baje
tak bhi baatein karti thi tab to aisa dar kabhi nahi dekha tha aaj pyar kya ho gaya
madam ko dar lagne laga hai Sameer ne majaak karte hue kaha Sameer ki iss
baat se Priya ko thoda sarm bhi aane laga usne utth kar kaha
Priya:- koi dar war nahi hai stupid mujhe neend lag raha hai issi liye sone jaane
ki baat kar rahi thi itna keh kar Priya waha se chali gayi Sameer ka wo majaak
usse accha to laga tha par jawaab nahi de paa rahi thi Priya jab chhat ke gate se
nikalne hi wali thi ki Sameer ne piche se kaha
Sameer:- bhulna mat kal subah coffee shop me dating hai Sameer ki baat sun
kar Priya ka muskaan aur bhi gehra ho gaya lekin wo koi jawaab diye bina hi
chali gayi Priya ke jaane ke baad Sameer bhi apne room ki taraf jaane laga wo
bohat khush ho kar apne room ki taraf jaa raha tha uska chere ki bhaaw aur
chalne ki style dekh kar lag raha tha jaise usne bohat bada jung jit liya hai room
me pahunchte hi Sameer bed par gir gaya uska muskuraata hua chehra hi uske
khushi bayan kar raha tha wo bed par lait te hue hi aaj uske aur Priya ke bich ke
baat ko yaad kar raha tha ye baatein yaad karte hue uske chehre ka muskaan
aur badh jaata hai Priya ka uske pyar ko apnaane ki baat yaad karte wakt usko
ek alag hi sukoon milta hai dono ko alag hue kuch hi der hua tha lekin Sameer ko
abhi se Priya ki kami mehsus ho raha tha lekin usse yaad aata hai ki waise bhi
kal uska dating hai wo kisi tarah khud ko samjhaa kar mana leta hai ki itna
utaawala hona bhi thik nahi hai issi tarah raat ke 2:00 baj jaata hai lekin usko
neend bilkul bhi nahi aa raha tha raat ki yaadein aur apne aur Priya ki future ke
bare me hi soch kar wo wakt gujaar raha tha achanak hi usse Rajesh aur
Mahesh ka planning ka yaad aaya uske chehre ka muskaan ek pal me hi gaayab
ho gaya bina koi der kiye usne Mahesh ko phone lagaya karib 5 ghanti bajne ke
baad Mahesh ne phone uthaaya
Mahesh:- hello kaun hai? Mahesh ki aawaj se hi pata chal raha tha ki wo gehri
neend se uthaa hai
Sameer:- Sameer gusse ke saath Sameer ne kaha Sameer ka naam sunte hi
Mahesh ka neend jaise gaayab hi ho gaya Sameer ki aawaj me usne gussa to
mehsus kar liya lekin wo fir bhi befikar tha usse pehle hi pata tha ki jab bhi
Sameer ko unn dono ke plan ke bare me pata chalega wo waise hi react karega
wo utth kar baith gaya aur bola
Mahesh:- yaar itni raat me phone kyu kiya bohat gehri neend me soo raha tha
subah phone kar leta
Sameer:- pehle ye bata tu mujhe uss bakwas tour par kyu le gaya tha? Sameer
ne sidha mudde ki baat kiya
Mahesh:- accha to tujhe sab pata chal gaya Mahesh ne thoda hanste hue pucha
Sameer:- hans mat aur sidhe sidhe bata tune mujhse jhut kyu bola ki Priya mujhe
divorce de rahi hai aur apne ghar jaa rahi hai? Sameer ka gussa kam hone ka
naam nahi le raha tha
Mahesh:- agar sidha sidha jawaab jaana chaahta hai to sun wo sab tere bhalaayi
ke liye hi tha
Sameer:- bhalaayi mera foot kamine tu nahi jaanta teri uss jhut se mujhe kitna
bada jhatka laga tha ek raat nahi soo paaya raat bhar ye dar satata raha ki Priya
ka mere jindagi se jaane ke baad mera kya hoga kaise jee paaunga uske bina
aur jab ghar waapas aa raha tha tab bhi hamesha mann me yahi dar tha ki kya
Priya mere pyar ko apnaayegi ya mujhe chhod kar chali jaayegi pure 2 din mera
dimaag kharaab ho gaya tha iss dar ki wajah se aur dil ka to puch hi mat kaise
maine khud par kaabu kiya hai wo sirf main hi jaanta hun aur ghar pahunchne ke
baad Priya ko propose karna to dur usse baat tak nahi kar paaya kissi tarah
darted arte propose karna pada aur ye sab ki wajah hai tum dono naalaayak ki
bakwaas majaak ki wajah se? agar ye tum dono ki koi saajish tha to tum logo ke
saath bilkul bhi accha nahi hoga aur agar ye majaak tha to bohat hi ghatiya
majaak tha tum dono ne mere pyar ka iss tarah se majaak udaa kar bilkul accha
nahi kiya Sameer ka chehra gusse se laal ho raha tha aur uski gussa uski aawaj
se saaf mehsus kiya jaa sakta tha dusri taraf se Mahesh ne Sameer ki gussa ka
parwah kiye bina hi jawaab diya
Mahesh:- pehle ye bata tujhe Priya se pyar ka ehsas kab hua? thodi der sochne
ke baad Sameer ne kaha
Sameer:- jis din tum dono ne aa kar wo ghatiya majaak mujhse kiya Sameer ki
aawaj me abhi bhi gussa tha
Mahesh:- aur tune Priya ko ghar pahunchte hi kyu propose kiya? tu aaram se bhi
usko propose kar sakta tha?
Sameer:- wo bhi tum dono ki jhuth ki wajah se mujhe dar tha ki agar maine uss
wakt Priya ko propose nahi kiya hota to wo shaayad mujhe chhod kar chali jaati
agar tum dono ne wo majaak nahi kiya hota to main Priya ko apne hi style me
planning ke saath propose karta
Mahesh:- abb thande dimaag se soch hamne kyu tujhse jhuth bola aur tera kya
bhalaayi hua? kuch der sochne ke baad Sameer ne kaha
Sameer:- tu baat ko ghumaane ki koshish mat kar sidhe sidhe bata tum dono ne
mujhse wo jhuth kyu bola?
Mahesh:- shaayad tu soch nahi paayega chal main hi bata deta hun agar hum
jhuth nahi bolte to tujhe Priya se pyar ka ehsas ussi din nahi hota tujhe Priya se
bohat pehle hi pyar ho gaya tha lekin tu samajh nahi paa raha tha aur jab tujhe
laga ki Priya tujh se dur jaa rahi hai to achaanak tujhe apne pyar ka ehsas hua
jab koi hamse dur chala jaata hai tabhi hame uss cheej ki kimat pata chalta hai
bol agar maine kuch galat kaha hai to?
Sameer:- nahi sahi bol raha hai tu
Mahesh:- hamaara pehla kaam tha tujhe tere chupe hue feelings ko baahar
nikalna aur dusra kaam tere mouh se Priya ke saamne tere dil ki haal nikalwana
main tujhe acche se jaanta hun Sameer tujhe apne pyar ke ehsas hone ke baad
bhi tu Priya ko propose nahi kar paata tu Priya ke feelings samajhne me hi lamba
wakt laga deta fir bhi issi uljhan me reh jaata ki Priya tujhse pyar karti hai ya nahi
aur Priya tere pyar ko apnaayegi ya nahi tu agar Priya ko propose kar paaya hai
to tere dar ki wajah se warna bohat wakt lag jaata tujhe aur ek baat yaad rakhna
pyar me jaldbaazi aur deri kabhi nahi karna chaahiye bas dost hone ki wajah se
tera indirectly madad kiya hai hum dono ne abb tujhe bhi realize ho gaya hai ki
tune bilkul sahi wakt me Priya ko propose kiya hai warna divorce ka time aa jaata
aur tu apne pyar ki izahaar karne ka raasta dhundta rehta itna keh kar Mahesh
chup ho gaya aur Sameer ki jawaab ka intejaar karne laga Mahesh ki baat sunne
ke baad Sameer ne uski baat ko acche se socha aur usko bhi laga ki Mahesh
sach bol raha hai
Sameer:- thanks yaar tune itna kuch kiya aur maine tujhe itni raat ko jagaa kar
daant diya iss baar Sameer ki aawaj me thoda sharmindgi tha
Mahesh:- koi baat nahi mujhe bilkul bhi bura nahi laga pehle hi prepare kar liya
tha khud ko tere gusse ka saamna karne ke liye puchne ki jarurat nahi hai ki
Priya ne tere proposal ka kya reply diya hai teri baato se hi pata chal gaya ki
usne haa me hi jawaab diya hai abb teri bhi jindagi set ho gaya hai main bohat
khush hut um dono ke liye Mahesh ne muskura kar kaha
Sameer:- lekin maine to kabhi nahi kaha ki Priya ne haa me jawaab diya hai
Mahesh:- common sense yaar agar Priya ne naa kaha hota to tu gusse me nahi
udaas ho kar phone karta Mahesh ne hanste hue kaha
Sameer:- pyar ke bare me bohat accha common sense hai tera pyar me kiska
kya haal hota hai acche se pata hai tujhe
Mahesh:- bhul mat ek jamaane me main bhi romeo tha tum dono (Sameer aur
Rajesh) se pehle mujhe pyar hua tha wo baat alag hai ki wo ladki bewafa nikli
itna keh kar Mahesh chup ho gaya dusri taraf se Sameer ne kuch nahi kaha usse
samajh me nahi aa raha tha ki usse kya kehna chaahiye usse lag raha tha ki uski
wajah se fir Mahesh ka bhara hua ghaaw taaja ho gaya hai
Mahesh:- chup kyu ho gaya
Sameer:- kuch nahi yaar bas aise hi Sameer ne topic change karne ki koshish
kar raha tha
Mahesh:- ek naya surprise deta hun tujhe I am also in love Mahesh ka ye
surprise sun ke Sameer chaunk gaya achanak hi uske mouh se nikla
Sameer:- kya kab aur kaise?
Mahesh:- shaant ho jaa bhai hai ek ladki mere hi pados me sNeha wo mujhe
bohat pehle se hi pyar karti thi 4 month pehle propose kiya usne uss wakt to
maine mana kar diya iss dar ki wajah se ki kahi dusri baar bhi bewafaayi na mile
lekin dhire dhire ehsas hua ki mujhe bhi usse pyar ho gaya hai aur iss baar yakin
hai ki Neha muje dhokha nahi degi Mahesh ne bhi utsaah ke saath Sameer ko
apne dil ki haal sunaaya
Sameer:- to pehle mujhe bataya kyu nahi?
Mahesh:- tune bhi mujhe tere aur Priya ke bare me kyu nahi bataya?
Sameer:- kyu ki 2 hi din to hua hai mujhe Priya se pyar ka ehsas hue
Mahesh:- mera bhi wohi jawaab hai 1 hafta pehle hi mujhe bhi apne pyar ka
ehsas hua tha aur maine bhi sNeha ko apne pyar ke bare me bataya tujhe
bataane hi wala tha ki Rajesh ne mujhe bataya ki usse shak tha ki tujhe Priya se
pyar hua hai issi liye socha pehle tera bhi jindagi set kar deta hun fir tujhe apne
pyar ke bare me batata hun
Sameer:- bohat baatein chupaane lage ho tum dono mujhse
Mahesh:- tere bhalaayi ke liye hi itna to jaan hi gaya hoga tu ki wo tour kisi ko bhi
pasand nahi tha Rajesh ko bhi Divya se dur hona pada din ke liye mujhe bhi
sNeha se wo bhi tere liye
Sameer:- abb kya keh sakta hun main tum dono mahaan ho aur main lucky hun
ki mujhe tum dono mahaan praani apne dost ke roop me mila Sameer ne bhi
majaak karte hue kaha
Mahesh:- acha thik hai bakai ki baatein fir kabhi karenge abb mujhe sone de
bohat neend lag raha hai itna keh kar Mahesh ne phone cut kar diya phone katne
ke baad Sameer ne phone ko bed ke side me rakha aur lait kar upar ceiling ki
taraf dekhne laga abb uske chehre me ek aur santushti tha aaj usse pyar milne
ke saath saath ye bhi pata chal gaya ki uska Rajesh aur Mahesh ke saath dosti
me kitna gehraayi hai kuch der baad usne mobile me time dekha 2:30 am baj
raha tha usse subah ki dating ki yaad aaya aur usne son eke liye light off kar diya
Sameer aur Priya dono hi 11:00 am me taiyaar ho kar paas ke hi ek coffee shop
me baithe the Sameer bas Priya ko hi dekhe jaa raha tha aur Priya Sameer ke
bolne ka intejaar kar rahi thi Sameer ki najar Priya se hat hi nahi raha tha
Sameer ki najar me Priya aaj baaki ke dino se bohat jyada khubsurat thi wo Priya
ko dekhne me itna khoya tha ki wo khuch bol bhi nahi raha tha aise hi Priya ko
dekhte hue hi wo ek haath se coffee uthaata hai aur apne honth se laga kar ek
ghunt peeta hai coffee uske mouh me jaate hi wo cup ko table me rakhta hai aur
jitna bhi coffee uske mouh me tha usse pura thuk deta hai
Sameer:- thuu aah thuu Sameer ne kuch iss tarah se kaha jaise usse coffee
bilkul bhi pasand nahi aaya Sameer ki aise thukne se Priya ka bhi najar Sameer
par chala jaata hai aur Sameer ki aise achaanak response se wo thoda ghabra
jaati hai
Priya:- kya hua tum thik to ho?
Sameer:- han thik hun ye coffee bohat kadwi hai Sameer ne apni jeebh ko
hontho par firaate hue kaha uska aisa reaction aur chehre ki bhaaw se pata chal
raha tha ki abhi tak coffee ki kadwi test uske jeebh se gaya nahi hai Sameer ki
baat sunne ke baad Priya achaanak se khil khilaa kar hasne lagti hai Priya ka
aisa hasna Sameer ko ajeeb lag raha tha jab Sameer chaunkte hue Priya ko
dekhta hai to Priya aur bhi jyada hasne lagti hai
Sameer:- kya hua? aise kyu has rahi ho?
Priya:- buddhu jab tak coffee me sugar nahi milaaoge coffee kadwi hi hogi naa
Priya ne Sameer ki coffee ke plate me rakhe hue sugar ke packet ko dikhaa kar
kaha ye keh kar Priya aur hasne lagti hai abb Sameer ko bhi apna mistake pata
chalta hai ur wo khud me hi thoda sharmindagi mehsus karte hue apne sar ke
picche apne haath se maarta hai aur fir Priya ki taraf dekhta hai Priya ko khil
khilaa kar hansta hua dekh wo bhi muskuraata hai
Priya:- shaayad pehli baar coffee peene aaye ho hansne ke baad Priya ne
puchaa
Sameer:- nahi coffee to mera favourite hai regularly peene aata hun
Priya:- issi liye sugar dale bina coffee pee rahe the Priya bhi Sameer ka majaa
lene ke mood me thi
Sameer:- lekin kisi pari ke saath peene pehli baar aaya hun aur ussi wajah se
sugar par dhyaan nahi gaya ye 2 sugar ke packets ka mere pari ke saamne kya
aukaat ye baat Sameer ke dil se nikla Sameer ki iss baat me Priya ke liye bohat
pyar tha Sameer ki baat sun kar Priya bhi sarma gayi aur Sameer ka pyar
mehsus kar wo bohat khush hui fir Sameer ne sugar ke packets ko faad kar
coffee me milaaya
Sameer:- abb tum bhi coffee start karo thanda hone ke baad majaa nahi aayega
itna keh kar Sameer ne fir se coffee peena suru kiya aur fir coffee ko table me
rakh kar waiter ko kuch sugar packets aur order karta hai waiter 4 packets sugar
table me rakh kar chala jaata hai
Priya:- ek cup coffee me itna sugar thoda hairaani ke saath Priya ne pucha
Sameer:- coffee abhi bhi kadwi hai 2 packet aur milaata hun itna keh kar Sameer
coffee me 2 packet sugar aur daalta hai Sameer coffee peene ke liye haath
uthaata hi hai ki Priya ki ajeeb najro ko dekh kar ruk jaata hai
Sameer:- kya hua?
Priya:- soch rahi hun tumhe to kadwi cheejein bohat pasand hain itna keh kar
Priya thoda muskuraane lagti hai Sameer ko Priya ki baat ka matlab bilkul bhi
samajh me nahi aa raha tha
Sameer:- kadwi cheejein aur wo bhi mujhe pasand bilkul nahi khaana to dur ki
baat hai uss taraf dekhta bhi nahi hun
Priya:- yaad karo ek baar tum daaru peekar ekdum mast ho kar ghar aaye the
daru bhi to kadwi hi hoti hai na abb Sameer ko Priya ki baaton ka matlab samajh
me aaya aur saath hi wo manhoos wakt bhi
Sameer:- accha uss bare me baat kar rahi ho life me first and last bottle tha wo
mera tension kam karne ke liye piya tha lekin itna ghatiya laga ki agli baar se
chuaa tak nahi Sameer ne mouh bigaadte hue kaha
Priya:- accha hai ki uske baad tumne chhuaa nahi aura age se chhuna bhi mat
warna Priya ki baato me warning sa tha
Sameer:- warna kya Sameer ne bhi pyar se pucha
Priya:- warna taangein tod dungi
Sameer:- accha hi hai fir main chal nahi paaunga aur tum mere paas aakar pyaar
se apne haatho se khaana khilaaogi Sameer ne iss baar Priya ko bohat hi pyar
se dekhte hue kaha lekin Priya ne gusse wala look diya Sameer ne fir sab
samajhte hue bhi darne ki acting kiya Sameer ki aisi acting dekh Priya ki hontho
se bhi muskaan chhut gaya fir dono coffee ke kuch ghunt peete hai
Priya:- iss baar permission de rahi hun aage se jyada sugar khaane ko nahi
milega diabetes hone ke chances hai Priya ne fir se warning dete hue kaha
andar se usse bhi Sameer se aise baat karne me bohat majaa aa raha tha
Sameer ka usko pyar jataana uske jhuthe gusse par bhi darne ki acting karna aur
pyar se usko jawaab dena Priya ko bohat accha lag raha tha Priya ki baatein
sunne ke baad Sameer apne sar me haath maarta hai aur
Sameer:- bohat khatarnaak ladki se pyar kar liya pyar ka ek hi din hua hai aur
abhi se biwi ki tarah dhamki mil raha hai
Priya:- biwi hi to hun wo bhi 6 months pehle se Priya ne muskura kar kaha lekin
jab usse apne baato ka matlab pata chala to fir usne sarm se sar jhuka liya
Sameer:- so my dear wife aapke sawaalo ka jawaab hai mere paas ye ek do
sugar ka packet mera kuch nahi bigaad paayega Sameer baahar se bhi majbut
hai aur andar se bhi aise hazaar sugar ka packets khaa lunga ek hi baar me lekin
fir bhi mera kuch nahi hoga Sameer ne ye sab to keh diya lekin usse khud hi nahi
pata tha ki usne kya bakwaas kiya hai fir bhi ye bakwaas Priya ki hontho me
muskaan lane ke liye kaamyaab ho gaya
Priya:- sach mein
Sameer:- han bhale hi six pack banaya nahi hai lekin taakat ki bhi koi kami nahi
hai yaad hai Ramesh aur Pratap akele hi dono ko acche se peet diya tha Sameer
ne ye baat to aise hi keh diya tha lekin kehne ke saath hi wo ekdam se serious
ho gaya Ramesh aur Pratap ka naam yaad aate hi usse apne bhool ka main
wajah aur planning karne walo ki yaad aa gaya jo wo apne khushiyo me bhul
raha tha
Priya:- chaahe kitna bhi taakat ho tumhaare paas lekin mere saamne koi faaida
nahi main jo kahungi wohi tumhe bina koi sawaal jawaab ke maana padega
Sameer:- tumhaare saamne aaj tak mera kuch chala han kya jo aage chalega
abhi se hukum mil raha hai to karna to padega hi Sameer ne pyar se jawaab diya
Ramesh aur Pratap ki wajah se wo itne acche wakt aur maahaul ko bigaadna
nahi chaahta tha lekin usne itna soch liya ki jald hi dono se wo jarur milega
Priya:- bohat samajhdaar ho gaye ho
Sameer:- tumhaara pyar ki wajah se hi iss kaabil hua hun Sameer ka har ek
jawaab me itna pyar bhara hua tha ki wo Priya ko sarmaane me majbur kar hi
deta tha Sameer apne coffee ke cup me dekhta hai fir Priyake cup me dono apna
apna coffee pee chuke the
Sameer:- coffee bhi khatam ho gaya ek aur cup order karu?
Priya:- nahi abb ghar chalo baaki ki baatein ghar me karenge itna keh kar Priya
utthti hai usne apne aas paas dekha pura ka pura coffee shop khaali tha aaj
Sameer se iss tarah se akele me baat karke aur Sameer ka uske liye pyar aur
uske feelings ka respect dekh kar wo bohat khush ho gayi ye coffee shop ka
dating uske liye khaas aur yaadgaar dino me se ek ban gaya fir dono wohi coffee
shop me kuch photos lete hai aaj ki iss din ko hamesha ke liye yaad karne ke liye
photos khichne ke baad Sameer sochne lagta hai
Sameer:- (in his mind) aaj itna special din hai hamaare liye lekin maine kuch
khaas nahi banaya iss din ko bas kuch der ke liye coffee shop me aa gaya ye bhi
koi celebration hai aisa to roj kar sakte hai mujhe aaj kuch special karna
chaahiye taaki ye din hamesha ke liye yaad rahe kuch to surprise dena chaahiye
Priya ko special surprise fir Sameer soch leta hai ki usse Priya ko kya surprise
dena chaahiye uske chehre me smile aa jaata hai aur abb wo aaj raat ke intejaar
karne lagta hai aur fir dono apne ghar ki taraf chale jaate hai Priya aaj ke iss
coffee shop dating se khush thi aur Sameer aaj ki din ko aur bhi special banaane
ki koshish me laga hua tha
Raat ko khana khane ke baad Sameer Priya ko apne saath chhat par le aaya
jaise hi Priya ne door se apna kadam chhat ki taraf rakha uske aankhe hairaani
se fail gaya wo aage ka najaara dekhti reh gayi Sameer Priya ko aise achanak
se statue hota dekh Priya ka haal samajh gaya uske chehre me bhi muskaan aa
gaya aur wo Priya ke paas aa kar khada ho gaya jab kuch der baad Priya hosh
me aayi tab usne Sameer ki taraf mud kar pucha
Priya:- Sameer ye sab kya hai? Priya ki aawaj me hairaani aur khushi tha
Sameer:- this is all for you my love Sameer ne Priya ki aankho me dekh bohat
pyar se kaha Priya aage kuch nahi keh paayi wo itna khush thi ki uski mouh se
koi aawaj nahi nikal raha tha wo bhi Sameer ki aankho me dekhne lagi Sameer ki
aankho me uske liye bohat pyar tha usne fir apna najar jhuka liya aur fir jaakar
Sameer ke gale lag gayi Sameer ne ye expect to nahi kiya tha lekin Priya ka gale
lagte hi usne bhi Priya ko apne baaho me bhar liya 5 minute tak dono ek dusre ki
baaho me hi rahe dono me se koi bhi kuch nahi bol raha tha bas dono ek dusre
ki pyar ko mehsus kar rahe the fir Priya Sameer se alag ho gayi aur usne
Sameer ki aankho me dekh kar pucha
Priya:- itna pyar?
Sameer:- isse bhi jyada agar puchogi kitna to abhi bata nahi sakta pyar ke bare
me jyada to nahi jaanta kuch hi din ka ehsas hua hai pyar ka lekin dil kehta hai ki
bohat pyar karne laga hun tumse har pal tumhaare saath rehne ka mann karta
hai tumse baat karne ka mann karta hai tumse to ek pal bhi dur raha nahi jaata
ajeeb si bechaini mann me aane lagta hai tum mere dil ki gehraai me bas gayi ho
pata nahi aisa kya jaadu kar diya tumne mujh par aisa lagta hai tumhaare bina
mera jindagi adhuri hai tumse milne ke baad aur tumse pyar hone ke baad hi
main iss sukoon ko mehsus kar paaya hun thanks a lot Priya for coming in my
life and loving me ye kehte wakt Sameer ki aankho se aansu aa gaya khushi ki
aansu Priya bhi Sameer ki baato me apne liye pyar mehsus kar rahi thi aaj usko
khud par garv tha ki Sameer se pyar karna uske life ke sabse acche decision me
se ek tha ye decision usne soch kar liya nahi tha apne aap ye sab ho gaya tha
Sameer:- arre kaha main tumhe bore kar raha hun chalo chal ke apne naye life
ka suruwaat karte hai itna keh kar Sameer apna haath Priya ki taraf badha deta
hai Priya bina kuch kahe Sameer ka haath thaam leti hai aur Sameer ke saath
halne lagti hai Priya aage Sameer ka kiya hua sajaawat ko dekh rahi thi aage ek
table par choti size ki par khubsurat cake rakha hua tha Sameer ne puri chhat ko
rangi birangi lights se sajaa diya tha red blue green aur white color ki light me wo
cake ka tukda aur chamak raha tha aisi khubsurat najaara dekh Priya ko Sameer
par bohat pyaar aa raha tha dono abb cake ke paas pahunch jaate hai aur Priya
dekhti hai ki cake me likha tha new journey of our love ye padhne ke baad Priya
Sameer ki taraf dekhti hai
Sameer:- jab se mujhe tumse pyar ka ehsas hua hai maine apna jindagi
tumhaara naam kar diya hai aage ki jindagi tumhaare saath jeena chaahta hun
ek nayi jeevan pyar aur ek dusre ke saath se bhara kya tum bhi mere saath aage
ki life me mere saath dogi? Sameer ne apne pyar izahaar karne ke saath
murkhata se bhara hua question puch diya jawaab me Priya Sameer ki kandho
me dheere se punch kar ke kehti hai
Priya:- paagal tumse pehle maine tumhe apna maan liya tha lekin tum to naa
samajh ho kabhi mere dil ki haal samajh hi nahi paaye tum se pyar karti hun
tumhaara saath dene me bhala kya aitraaj ho sakta hai mujhe Priya ne shikaayat
karte hue kaha
Sameer:- han tha na samajh lekin abb nahi hun tumhaare pyaar ne thoda
samajhdaar bana diya hai bas dekhte jao samajh jaogi mera pyar aur dekhogi
kitna pyar karta hun main tumse itna kehne ke baad Sameer ke chehre me smile
aa gaya
Priya:- wo to abhi bhi dikh raha hai Priya ne dheere se kaha lekin Sameer ne
uski ye baat sun liya ye baat sunne ke baad uska smile aur badh gaya
Sameer:- tumne kaha tha ki tumhe mujhse pyar ka ehsas pehle hua tha bataao
na tum kabse mujhse pyar karti ho aur kaise mujhse pyar hua tumhe Sameer ne
utshukta ke saath pucha
Priya:- fir kabhi aaj iss pal ko jee lene do Priya ki baat sun kar Sameer ne
sehmati me sar hila diya wo bhi iss pal ko acche se jeena chaahta tha kuch pal
ke liye dono ke beech ek khaamoshi chaa jaata hai dono kabhi kabhi ek dusre ko
dekh lete the lekin koi kuch nahi bol raha tha fir Sameer apna mobile nikaal kar
ek romantic gaana bajaata hai aur mobile ko table par rakh deta hai
Sameer:- abb cake kaat te hai Priya bhi apna sar sehmati me hilaa deti hai
Sameer chaaku uthaa kar Priya ke haath me deta hai aur uske haath ko utha kar
cake ke paas le jaata hai Priya cake kaatne lagti hai aur Sameer Priya ke haath
ko upar se press karta hai Sameer ka haath ka sparsh apne haath me paate hi
Priya ko kuch alag sa feeling aata hai cake ka pehla tukda Priya Sameer ko
khilaati hai Sameer thoda sa tukda khaa kar fir Priya ko baaki ke piece khilaa
deta hai cake ka third piece fir Priya Sameer ko khilaati hai iss baar Sameer cake
khaane ke saath Priya ki ungliyo me apna jeebh fira deta hai Priya ke liye ye
bilkul unexpected tha Sameer ki aisi harkat se wo thoda sarmaa jaati hai aur
apna ungli Sameer ke mouh se baahar nikaal kar dusre haath se Sameer ko
dheere se maarte hue kehti hai
Priya:- badmaas fir Sameer Priya ko cake khilaata hai iss baar Priya bhi masti
me Sameer ke ungliyo ko thoda sa kaat deti hai
Sameer:- ouch Sameer ki cheenkh thoda tej tha usse jyada dard to nahi hua
lekin wo aise hi jyada dard hone ka acting karta hai
Priya:- kya hua jyada dard to nahi hua na dikhaao mujhe apna ungli itna keh kar
Priya jaldi se Sameer ka ungli apne haath me lekar dekhti hai ungli me daant ka
thoda sa nishaan tha ina bhi nahi ki Sameer itna cheenkhe wo Sameer ki taraf
dekhti hai Sameer ko hansta dekh usse thoda gussa aata hai
Priya:- mujhe sataane me majaa aata hai na tumhe itna keh kar Priya mouh fulaa
leti hai
Sameer:- sataane me nahi tumhaara ye cute expressions dekhne me majaa aata
hai aur sataata hun to mana bhi lunga itna keh kar Sameer Priya ko gudgudi
karne lagta hai
Priya:- (hanste hue) abb bas bhi karo
Sameer:- pehle keh do tumne mujhe maaf kar diya
Priya:- (hanste hue) achha baba maaf kiya abb to chhodo fir Sameer Priya ko
gudgudi karna band kar deta hai kuch pal to dono shaant rehte hai lekin agle hi
pal ek dusre ko dekh fir se hasne lagte hai fir dono issi tarah pyar bhari baatein
karke cake khatam karte hai
Sameer:- to kaisa laga ye surprise celebration?
Priya:- bohat shaandaar maine to ye sab expect bhi nahi kiya tha main to coffee
shop ki dating se hi khush thi lekin iss surprise ne sone me sugandh ka kaam kar
diya aaj ka din main kabhi nahi bhul paaungi thanks Sameer aaj ke din ko itna
khaas banaane ke liye Priya ki baato se hi pata chal raha tha ki wo kitna khush
hai
Sameer:- pyar me no sorry no thanks Sameer ne majaak karte hue kaha Sameer
ki baat sunne ke baad Priya Sameer ko ghurne lagti hai
Sameer:- dopahar me socha ki coffee shop me to ham regular jaate rahenge isse
aaj ka din kuch khaas nahi hoga aur bohat jald bhul jaayenge iss din ko lekin iss
tarah ka celebration bohat hi kam hoga aur aaj ke din hameshaa yaad rahega jo
hame hamaare pyar ke suruwat ka yaad dilaata rahega Sameer ne iss surprise
ke piche ki wajah bata diya Priya ne iss baar koi jawaab nahi diya wo Sameer ki
taraf pyar se dekhne lagi fir Sameer ka bhi najar Priya par aa kar atak gaya dono
ek dudre ki aankho me khone lage fir Sameer ka chehra dhire dhire Priya ki taraf
badhne laga dono bas ek dusre ki aankho me hi dekh rahe the dono ko ek dusre
ki aankho me bas apne liye pyar aur chaahat hi dikhaayi de raha tha dono ek
dusre ki aankho me khone lage madhoshi me Sameer ka chehra Priya ki taraf
badhne laga fir kuch hi pal me dono ka honth jud gaya honth judte hi dono ko
aise feel hota hai jaise dono ko current ka ek tej jhatka laga ho dono ke liye ye
pal bohat hi khaas tha apne life ka first kiss wo bhi aise romantic pal me dono
apne kiss me khone lagte hai pehle to dono me normal kiss hi hota hai fir dono
ka kiss intense hone lagta hai dono ek dusre ko apne baaho me kas ke pakad
lete hai aur utni hi tej dono me kissing hone lagta hai agar dono ko saans lene
me mushkil na hota to shaayad hi ye kiss kabhi rukta jab dono ko saans lene me
mushkil hota hai tab dono apne apne honth piche khinch lete hai aur lambi lambi
saansein lene lagte hai iss bich fir Sameer aur Priya ki najar ek dusre se takraata
hai aur dono ek dusre ko iss tarah se dekhte hai jaise ye kiss anjaane me ho
gaya hai aur dono ne expect hi nahi kiya tha Sameer ke chehre me ek alag sa
chamak aur apne liye pyar dekh Priya fir sarma jaati hai wo apni najar niche
jhuka leti hai aur fir waha se bhaag jaati hai niche apne room ki taraf ek pal to
Sameer ko samajh me hi nahi aaya ki ye kya hua lekin jab wo samajh jaata hai
tab uske chehre me muskaan aur fail jaata hai abb chhat me rehne ka uske paas
aur koi wajah nahi tha dil me sukoon aur khushi aur chehre me muskaan ke
saath wo bhi apne room me chala jaata hai room me pahunch kar wo time
dekhta hai raat ka 1:00 am baj raha tha abb wo sone ke liye bed me lait jaata hai
lekin neend uski aankho se aaj bhi koso dur tha baar baar usse Priya ki yaad aur
aaj chhat me dono ke bich ke romance ka yaad aane lagta hai usne jitna socha
tha ye din aur raat usse bhi jyada romantic aur special ho gaya tha dono ke liye
dono ko alag hue kuch pal hi hua tha ki Sameer ko Priya ki yaad aur uski kami fir
se mehsus hone laga tha shaayad naye naye pyar ka nasha tha aaj usse iss
room me Priya ki kami ka mehsus hone lagta hai wo sochta hai
Sameer:- (in his mind) pyar ho gaya shaadi to pehle hi ho gaya lekin bad luck
biwi hi room me nahi hai bohat complicated life ho gaya hai agar Priya ke room
matlab mera puraana room me shift ho jaau to koi problem to nahi hoga Priya ko
bhi koi aitraaj nahi hoga lekin maa aur papa ko kya jawaab dunga ye baat sochte
hi Sameer ek dam se serious ho jaata hai
Sameer:- maa aur papa ko aur Priya ke maa aur papa ko bhi bataana hai iss
pyar ke bare me aur iss shaadi ko official karaane ke liye lekin kya sabhi
maanenge shaayad Priya ke parents to maan jaayenge gaanw se aate wakt to
dono mujhse acche se hi baat kar rahe the shaayad maa bhi maan jaayengi
unke liye mere khushi se badh kar kuch bhi nahi hai aur Priya ke saath bhi unka
accha relation hai lekin kya papa maanenge? pehle hi wo mujhse itna naraaj the
mere uss bhool ki wajah se abhi jaise taise sab kuch thik hua hai kahi iss pyar ki
baat par wo fir se gussa na ho jaaye sab mera hi galti hai pehle papa se kuch
kehne ke liye ek baar bhi nahi sochna padta tha jabhi bhi kisi cheej ki jarurat hota
tha khul ke sab kuch keh deta tha lekin abb haalat aise ho gaya hai ki kuch
kehne ke liye bhi 10 baar sochna padta hai abhi koi jaldbaazi karna thik nahi hai
dhire dhire maa aur papa ko iss rishte ke liye manaane ki koshish karunga han
lekin manaunga jarur tab tak mera aur Priya ke bich me accha khaasa romance
bhi ho jaayega ye kehne ke baad Sameer ke chehre me muskaan aa jaata hai
iss muskaan me uska khushi apne iss naye mission ke liye josh sab kuch tha
Agle din Sameer aur Priya bike se nikal padte hai ek nayi safar par karib aadha
ghanta bike chalaane ke baad Sameer bike ek jagah par rokta hai bike se utarne
ke baad Priya apnea as paas ke najaara dekh bohat khush ho jaati hai jungle
jaisa sunsaan jagah charo taraf hariyaali aur badi badi ped (tree) aur saamne ek
chhoti si nadi (river)
Priya:- ham kaha aaye hai? khushi aur utshukta ke saath Priya ne pucha
Sameer:- fishing karne Sameer ne saamne nadi ki taraf dekhte hue thoda hans
kar jawaab diya
Priya:- what? hairaani se Priya ne jawaab diya Sameer Priya ki taraf mud kar
dekhta hai aur Priya ki aisi reaction dekh usse hansi aa jaata hai
Sameer:- kya lagta hai tumhe kyu aaye hai ham yaha? Sameer ne iss baar kuch
romantic tarike se pucha
Priya:- mujhe kya pata tum lekar aaye ho yaha tumhe hi pata hoga Priya ki iss
jawaab par Sameer ne apna sar haath maarke kaha
Sameer:- yaar tum bohat unromantic ho itni si baat samajh nahi paayi socha
yaha akele me taaja aur thanda hawa ke saath pyar bhari baatein karenge aur
saath me nature ka maja bhi lenge Sameer ki baato se hi pata chal raha tha ki
aaj wo kitna excited hai jawaab me Priya Sameer ko ghurne lagti hai
Sameer:- kya hua? Sameer ko Priya ki aise ghurne ki wajah samajh me nahi
aaya
Priya:- unromantic kisko bola tumne? Priya ki aawaj me shikaayat tha
Sameer:- oh sorry galti se nikal gaya hoga mouh se abb chalo na thodi baatein
bhi kar lete hai pehle hi late ho gaye hai Sameer ko aise utaawla hota dekh Priya
ke chehre me bhi muskaan aa gaya dono saath aage chalte hai aur nadi ke paas
baith jaate hai dono ko waha baithe hue 5 minute ho gaya tha lekin dono me se
koi kuch nahi bol rahe the Priya Sameer ke bolne ke intejaar me thi aur Sameer
chup ho kar nadi ki taraf dekh raha tha
Priya:- abb chup kyu ho gaye? tumhe to baat karna tha na? Priya ki aawaj me iss
baar halka gussa tha
Sameer:- khaamoshi ki bhi apni jubaan hota hai madam aur issi jubaan se abhi
aapke saath baat kar raha hun Sameer ki aawaj me firse pehle ki tarah Priya ke
liye pyar tha itna keh kar Sameer Priya ki taraf dekhta hai Priya usse thoda
gussa ke saath ghoor rahi thi Sameer ko samajhne me der nahi lagta hai ki Priya
jhutha gussa dikhaa rahi hai
Sameer:- majaak kar raha tha aur ye bhi dekh raha tha ki meri biwi ko kitna jaldi
gussa aata hai baad me bachne me aasani hoga Sameer ne itna pyar se kaha ki
Priya ka wo jhutha gussa bhi gaayab ho gaya
Sameer:- Priya tumne kabhi apne hobby ke baare me nahi bataaya bataao na
tumhe kya kya karna pasand hai abb Sameer ne matlab ki baat pucha
Priya:- hobbies jyada to nahi hai gaana sunna gaana acchi khaana pakana
movies dekha baatein karna kabhi kabhi ghumne jaana abhi aur yaad nahi aa
raha hai yaad aate hi bata dungi Priya ne smile ke saath kaha
Sameer:- itne saare hai aur fir bhi keh rahi ho jyada hobbies nahi hai Sameer ne
thoda hairaani ke saath pucha
Priya:- jyada hai? Priya ne fir se jhutha gussa ke saath pucha
Sameer:- arre nahi main to majaak kar raha tha tumhaara chaahe jitna bhi iccha
aur hobby ho sabhi pura karne ki koshish karunga tumhaara koi bhi iccha iccha
hi nahi rahega usko sach Karane ki puri koshish karunga Sameer ka Priya ki
hobbies aur iccha ka respect karna Priya ko bohat accha laga wo khushi ke
saath kehti hai
Priya:- main job bhi karna chaahti hun?
Sameer:- ye to aur bhi acchi baat hai itna padhne ka kya faaida jab wo kaam hi
na aaye mujhe tumhaare job karne se koi problem nahi hai ulta main khush hun
Priya ko Sameer ki baat se ek aur khushi milta hai usse Sameer ki baat se lag
raha tha ki Sameer job hi keh raha hai bilkul sach keh raha hai aur uski baato me
koi bhi dikhaawa nahi hai
Sameer:- aur ye bhi bataao tumhe mujhse kya kya expectations hai? Sameer ne
fir se romantic ho kar aur utshukta ke saath kaha
Priya:- jyada nahi hai subah utthte hi mere liye coffee banaao office jaane se
pehle mere liye apne haatho se garma garam tasty lunch banaao mujhe office
tak drop kar do padhne likhne me acche ho office ke sabhi kaam me mera help
karo aur agar kabhi kahi dard ho to acche se maalish kar do Priya ye kehte wakt
khud hi hans padi
Sameer:- main husband hun tumhaara koi naukar nahi Sameer ne hairaani ke
saath kaha usne to socha bhi nahi tha ki Priya ko usse ye sab expectation hai
Priya:- so Mr romantic chehra latak gaya na waise main majaak kar rahi thi tum
jaise ho waise hi mujhe pasand ho issi liye to tumse pyar karti ho bas itna
expectation hai tumse kit um hamesha aise hi raho aur hamaara pyar aur
vishwaas bhi aisa hi rahe Priya ne iss baar Sameer ki aankho me dekh kar kaha
uski baato me Sameer ke liye bohat pyar tha Priya ki iss baat par Sameer ko aur
bhi jyada pyar aane laga fir dono aise hi din bhar ek dusre se pyar bhari baatein
karte rahe bich bich me hansi majaak aur ek dusre ko chiddhaana bhi ho raha
tha iss baat cheet ke dauraan Priya ne Sameer ko bata diya ki wo kyu aur kabse
Sameer se pyar karti hai Sameer ne bhi Priya ko bataya itni jaldi dar ke saath
propose karne ki baat aaj dono ne apne dil ki bohat si baatein ek dusre se share
kiya aur ek dusre ki bohat si pasand aur na pasand ki baatein bhi jaan liya abb
dono ka ek dusre ke liye pyar aur bhi badhne laga uss din ke baad Sameer aur
Priya roj apne romantic spot (chhat) me milne lage aur kabhi kabhi coffee shop
restaurant mandir aur nadi kinaare milne lage beet te din ke saath dono ka pyar
aur bhi badh raha tha issi tarah 1 month bhi beet gaya Sameer ne ek acchi si job
bhi dhnd liya aur apne papa ke saamne ek jimmedaar beta ki pehchaan aur
puraani vishwaas ko fir se jeetne ki koshish me laga hua tha job me busy hone
ke baad bhi Sameer Priya ke liye kisi na kisi tarah wakt nikaal hi leta tha aur
dono apni taraf se ek dusre ko ehsas karaane me koi kami nahi chhodte the ki
dono ek dusre se kitna pyar karte hai aur dono ki life me ek dusre ki kya ehmiyat
hai Sameer ko abb laga ki wo apne pair me khada ho chukka hai aur uske papa
ke saath bhi pehle jaisa hi rishta ho gaya hai usne abb aur der karne ka nahi
socha wo aaj apne maa aur papa ko bataane wala tha apne aur Priya ke pyar ke
bare me lekin bechara iss baat se anjaan tha ki aaj uske saath kitna bada
majaak hone wala hai ek dardnaak majaak jo usne kabhi expect hi nahi kiya tha
Sameer aaj apna office se leave le kar apne maa aur papa ko apne aur Priya ke
pyar ke baare me bataane wala tha
Aaj lunch ke wakt pura family ek saath lunch ke liye baithe the Sameer lunch to
kar raha tha lekin uska dhyan sirf iss baat me tha ki wo kaise apne pyar ki baat
apne maa aur papa se kahega
Mr Sharma:- Sameer sab thik to hai? pareshaan lag raha hai?
Sameer:- nahi sab thik hai koi pareshaani nahi hai achanak puche gaye sawaal
ka jawaab Sameer ne thoda haklaate hue diya
Mr Sharma:- lunch karne ke baad kuch jaruri baatein karna hai tujhse aaj office
se aaj ek din ka leave le
Sameer:- mujhe bhi aapse kuch jaruri baatein karna hai office se pehle hi leave
le chukka hun
Mr Sharma:- hmm pehle lunch karte hai uske baad fir sabhi apna lunch karne
lagte hai Mr and Mrs Sharma ki chehra me thoda muskaan tha Sameer aur Priya
ki chehre me thoda chinta aur tension ki bhaaw tha khaas kar Sameer ke usne
abhi tak ye decide nahi kiya tha ki papa ko wo ye baat kaise bataayega khana
khane ke baad
Mr Sharma:- aa yaha baith Mr Sharma ne Sameer ko apne sofa ke side ki taraf
ishaara karte hue kaha Sameer bhi unke paas jaa kar baith jaata hai
Mr Sharma:- accha bol kya baat karna hai tujhe mujhse? Mr Sharma ne chehre
me thoda muskaan aura ankh Sameer par jamaa kar pucha abb wo Sameer se
ussi tarah se baat kar rahe the jaise wo pehle karte the dono ke bich laghbhag
pehle jaisa relation ho gaya tha
Sameer:- pehle aap hi kahiye aapko bhi kuch kehna tha mujhse? nervous aur
tension me Sameer abhi tak apni baat nahi keh paa raha tha
Mr Sharma:- mujhe bataana nahi hai kuch dikhaana hai aur tujhe faisla karna
hai? ye kehte wakt Mr Sharma ka muskaan aur badh gaya lekin Sameer ne abhi
tak ye baat notice nahi kiya tha
Sameer:- kuch nahi samjha aap kya dikhaayenge aur mujhe kya faisla lena hai
confusion me Sameer ne pucha fir Mr Sharma apne bag se ek plastic nikaalte
hai
Sameer:- ye kya hai itna keh kar Sameer unke haath se wo plastic lene lagta hai
Mr Sharma:- abhi nahi pehle baat to sun uske baad dekh lena fir Sameer Mr
Sharma ko dekhne lagta hai wo abhi tak ye samajh nahi paaya tha ki Mr Sharma
kya kehna chaahte hai aaj usse Mr Sharma ki behavior thoda ajeeb lag raha tha
Mrs Sharma:- Sameer hamne tere liye rishta tay kar diya hai Mr Sharma ki jagah
iss baar Mrs Sharma boli unki aawaj me bohat khushi tha waisa hi khushi jo har
maa ko apne beta ka rishta tay karne par hota hai Mrs Sharma ki baat sunne se
Sameer aur paas me alag sofe par baithi Priya ko ekdam se jhatka laga dono hi
utth kar khade ho gaye Sameer aur Priya dono ke chehre ka rang ek dam se udd
gaya chehre par maujud tension aur bhi gehra ho gaya
Mrs Sharma:- laga na jhatka mujhe pata tha ye surprise sunte hi tu shocked ho
jaayega thodi hansi ke saath Mrs Sharma ne kaha dusri taraf Sameer ka haalat
ye sunte hi kharaab ho gaya tha usne kya socha tha aur kya ho gaya Sameer ne
apne maa aur papa dono ka chehra dekha dono bohat khush najar aa rahe the
abb Sameer ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki kaise react kare uske paas
to abb itna himmat bhi nahi tha ki Priya ki taraf dekhe
Sameer:- par maa himmat karke Sameer ne bolna suru hi kiya tha ki usko rokte
hue Mrs Sharma fir boli
Mrs Sharma:- han mujhe pata hai abhi tu kahega ki tu itni jaldi shaadi karna nahi
chaahta hai pehle acche se job me settle hoga aur fir shaadi ke bare me
sochega tu iss baat ka fikar mat kar abhi tera aur Priya ka divorce hone me thoda
wakt baaki hai fir uske baad hi shaadi possible hai tab tak tu acche se settle bhi
ho jaayega aur fir ham sab mil kar tera shaadi dhum dhaam se karwaayenge har
ek shabd ke saath Mrs Sharma ki khushi badhta jaa raha tha Sameer ke shaadi
ke liye wo abhi se excited thi abb Sameer ka sar fatne laga tha Mrs Sharma ki
baat sun kar pehle hi usse kuch samajh nahi aa raha tha ki achanak se ye sab
kya ho raha hai aur abb uski maa aur papa ka khushi aur excitement usse aur
kamjor bana raha tha
Sameer:- papa fir Sameer ne himmat kiya bolne ka aur fir usse bich me apna
baat rokna pada
Mr Sharma:- mere dost ki beti hai padhi likhi khubsurat aur sanskaari tum dono
ka jodi khub jamegi main jaanta hut u mere faisle se inkaar nahi karega issi liye
maine pehle hi mere dost ko haa kar diya Mr Sharma ki ye baat Sameer ke liye
kisi emotional atyachaar se kam nahi tha unhone kuch iss tarah se kaha tha jaise
unhe Sameer par pura yakin hai aur Sameer ke liye inkaar karna itna aasaan bhi
nahi tha abb
Mrs Sharma:- arre Priya tum waha kyu baithi ho aao paas baitho abb Mrs
Sharma kin ajar Priya par pada Priya bhi paas me hi aa gayi issi wakt Sameer ne
Priya ko dekha Priya ekdam shaant thi apna expression aur dard chupaane ki
pura koshish kar rahi thi lekin Sameer se kuch chupa hua nahi tha usse apna aur
Priya ka haal par bohat bura lag raha tha lekin wo abhi kuch kar bhi nahi paa
raha tha
Mrs Sharma:- beta tum itna shaant kyu ho ye to khushi ki khabar hai na
tumhaara dost ka shaadi hone jaa raha hai Mrs Sharma ki ye baat Priya ko aur
bhi jyada chubh gaya abb Sameer uska sirf dost hi nahi tha aur unki aisi baatein
aur hansi Priya ko aur bhi jyada taklif de raha tha Sameer ka khaamoshi Priya ko
aur bhi kamjor bana rahi thi
Priya:- nahi aunty main bohat khush hun Sameer ke liye ek jhuthi aur feeki
muskaan ke saath Priya ne jawaab diya sirf wo aur Sameer hi mehsus kar sakta
tha iss lafz ke piche ka dard Sameer apna mutthi kas ke bheench leta hai apne
haalat par usse khud par hi gussa aa raha tha ki aise wakt me wo kyu kuch bol
nahi paa raha hai lekin puraana dar ki maa aur papa se fir rishtabigad na jaaye
iss dar usse shaant bana raha tha usse thodi der ki shaanti ki jarurat tha taaki wo
kuch soch kar apne maa aur papa ko mana sake lekin dono ki khushi aur
excitement usse aur bhi jyada kamjor bana raha tha
Mrs Sharma:- (to Priya) Priya tumne abhi tak hamaara bohat saath diya hai ek
aur request hai tumse iss shaadi ki planning aur taiyaari me bhi saath dena abb
tum bhi iss ghar ki sadasya ban gayi ho Sameer ka khaas dost aur hamaare liye
beti tumhaari maujudgi shaadi ka raunak aur badha dega aur Sameer ko bhi ek
dost ka accha saath mil jaayega shaadi tak bas ye request hai kit um Sameer ke
shaadi ho jaane tak yahi rukna hamaare saath pehle ki tarah hi excited ho kar
Mrs Sharma apni baat keh rahi thi
Priya:- jitna ho sakega utna help karungi fir apni dard ko chupaane ki koshish
karte hue Priya ne jawaab diya
Mrs Sharma:- (to Mr Sharma) aapne to abhi tak photo apne haath me rakha hai
Sameer ko dijiye wo bhi apne hone wali biwi ki photo dekh lega
Mr Sharma:- oh han baato me bhul hi gaya tha Sameer ye photo le aur dekh tab
tak ham dono thoda baahar jaa kar aate hai itna keh kar Mr and Mrs Sharma
dono apne hontho me muskaan le kar room se baahar chale jaate hai Sameer ki
shaadi tay hone ki khushi dono ke chehre me saaf dekha jaa sakta tha dono ke
baahar jaane ke baad room me khaamoshi chaa jaata hai Sameer aur Priya
dono baat karne ki haalat me nahi the fir Priya apna sar utha kar Sameer ki
aankho me dekhti hai aur fir Sameer bhi uski aankho me dekhne lagta hai dono
ki aankho me aansu aane lagta hai dono me se koi bolne ki haalat me nahi the
Sameer ko ek dar andar se khaa raha tha ki kahi wo Priya se alag na ho jaaye
agar uske parents ne inkaar kar diya to wo apne pyar ke liye bhale hi duniya se
lad sakta tha lekin apno se ladna utna aasan bhi nahi tha ek taraf maa aur papa
ka pyar aur ek taraf Priya ka pyar dono hi pyar niswarth aur saccha tha uske liye
ek taraf Priya ko jindagi bhar saath rehne ka diya hua kasam aur dusri taraf maa
aur papa ka karz kisi ek ko chunna bhi uske liye aasan nahi tha ajeeb haalat me
fass gaya tha wo kuch hi pal me uske mann me kayi saare khayal aaye aur gaye
lekin abhi tak wo kuch bhi faisla nahi le paaya tha wo kisi ke saath bhi anyaay
karna nahi chaahta tha aur nyaay karna aasan bhi nahi tha Priya bhi Sameer ko
iss ummeed ke saath dekh rahi thi ki Sameer sab kuch thik kar de fir kuch der
baad Sameer apna aansu poch kar Priya ko aankhe se hi vishwas deta hai ki wo
sab kuch thik kar dega kisi tarah apne maa aur papa ko mana lega fir Sameer ne
wo photo nikaala taaki wo uss photo ko faad sake lekin jab uski najar photo par
pada tab uski aankhe hairaani me aur bhi jyada fail gaya wo hairaani se photo ko
dekhta hi raha jab Priya ne Sameer ko hairaan dekha tab usne bhi puch liya
Priya:- kya hua aur kaun hai photo me? dard bhari aawaj me pucha Priya ne iss
baar Priya ka asli aawaj nikla tha aur uss dard bhari aawaj ke saath Priya ki
aankho se do bund aansu bhi niche jameen me gir gaya
Sameer:- Shruti dard se bhara hua aawaj ke saath Sameer ne jawaab diya aur
apni baat kehne ke baad Sameer ne Priya ki taraf dekha Priya ki chehre me
maujud kuch aash bhi udd gaya Sameer ki jawaab se
Sameer:- pata nahi papa ko kya ho gaya Shruti ki asliyat jaane ke baad wo bhi
Shruti ke khilaaf the lekin achanak unhone fir ye decision kyu liya Sameer aawaj
me dard hairaani aur halka gussa ke saath keh raha tha lekin Priya aur sun nahi
saki wo teji se mud kar rote hue door ki taraf jaane lagi Priya gate tak pahunch
paati usse pehle hi Sameer Priya ke paas pahunch daud kar pahunch gaya aur
Priya ka haath pakad kar Priya ko apni taraf ghumaya aur kaske hug kar liya
Priya ko apne baaho me bharne ke baad Sameer aisa mehsus kar raha tha jaise
usse duniya ki sabse bada khushi mil gaya uski chehre me maujud dard ka
bhaaw ek pal me badal gaya aur uske chehre me ek aisa muskaan aaya jo bata
raha tha ki wo iss wakt kitna khush hai jab usne mehsus kiya ki Priya uski baaho
me aur bhi jyada rone lagi hai tab usne Priya ko apne baaho se alag kiya aur
chehre ko hilaa kar na rone ka ishaara kiya Sameer ko muskuraata dekh Priya
ko kuch samajh me nahi aaya wo Sameer ko khone ki dar se itna ro rahi thi aur
wohi Sameer bohat khush dikh raha tha wo kuch samajh paati isse pehle hi
Sameer ne apne haath ka photos Priya ki taraf badh gaya Priya ne Sameer se
wo photo le liya aur photo dekh kar uski aankh bhi hairaani se fail gaya saara
gum aur dil me utth rahe dard ek pal me gaayab ho gaya usse apne aankho me
vishwas hi nahi ho raha tha wo kabhi photo ko dekhti to kabhi Sameer ka khushi
aur muskaan se bhara hua chehra ko kuch pal me usse vishwas ho hi gaya ki jo
wo dekh rahi hai wo sach hai khushi ke mare usne Sameer ko fir se hug kar liya
aur iss baar usne Sameer ko hi apne baaho me kas liya Sameer ko ek pal ke liye
to kuch bhi samajh me nahi aaya ki ye kya hua lekin jab usse samajh me aaya
tab usne bhi Priya ko apne baaho me bhar liya bohat hi sukoon dene wala aur
meetha pal tha ye dono ke liye abb to unke pyar ko unke parents ne bhi apna liya
tha kuch der tak dono bas ek dusre ke gale me ek dusre ko mehsus kar rahe the
iss pal dono ko aisa mehsus ho raha tha jaise dono ne ek dusre ko khone ke
baad fir se paa liya hai abhi dono ek dusre ki baaho me aisa sukoon mehsus kar
rahe the ki dono alag hona hi nahi chaahte the kuch der baad Sameer ki dimaag
me ek masti aaya usne apna sar thoda piccha karke Priya ki taraf badha diya
Priya ko bhi Sameer ke iraada samajhte der nahi laga wo Sameer ki baaho se
alag ho gayi aur achanak se Sameer ke kandhe par mukka barsaane lagi aise hi
10 - 15 baar mukka maarne ke baad Priya ne kaha
Priya:- tumne bilkul bhi accha nahi kiya jaante ho main kitna dar gayi thi Priya ki
aawak me thoda gussa ke saath thoda naarajgi bhi tha
Sameer:- ye to ek chhota sa majaak tha
Priya:- ye bhi koi majaak tha mera to jaan hi nikal diya tha tumne aage se aisa
koi bhi majaak mat karna abb Priya ki gussa bhi badh gaya tha
Sameer:- accha bhul gayi tum jab tum bhi majaak kar ke mera jaan nikaalne me
koi kami nahi chhodti thi aise majaak aur ruthne ki naatak karti thi ki dar se mera
haalat kharab ho jaata tha 1 mahine se jyada ho gaya maine tumhe propose kiya
aur har din tumhaara naya drama nakhre sehna padta tha ek propose kya kar
diya tumne to mera buraa haal kar diya Sameer ne bhi Priya ko puraani baat
yaad karate hue pyar se kaha Sameer ki baat sunte hi Priya ka saara gussa ek
pal me gaayab ho gaya aur fir se uske chehre me Sameer ke liye pyar aa gaya
wo niche dekhti hui boli
Priya:- wo to bas aise hi isse aage Priya kuch nahi boli
Sameer:- main bhi thoda masti karna chaahta tha aur iss masti se ye bhi to pata
chala ki mera Priya mujhse kitna pyar karti hai sorry yaar for that acting accha ye
bataao mera acting kaisa tha lag raha than a main film ki hero ki tarah Sameer
ne maafi maangte hue kaha lekin aakhir me ek aur majaak kar diya usne
Priya:- mujhe tadpaane me bohat majaa aata hai na tumhe thoda shikaayat ke
saath pucha Priya ne
Sameer:- tumhe tadpaane me nahi tumse pyar karne me maja aata hai aur yahi
to mera style hai darling pyar me agar hansi majaak aur ek dusre ko pareshaan
na karna aur ruthna manana na ho to pyar me koi maj nahi Sameer ne iss baar
romantic andaaj me kaha abb dono aa kar sofa me baith gaye
Priya:- Sameer kya tumne hamaare pyar ke baare me kaha tha uncle ko?
Sameer:- nahi issi liye to mujhe dar lag raha tha pata nahi kaise unhe pata chal
gaya
Mr Sharma: wo iss liye Mr Sameer kyu ki aap hame jitna bewkuf samajhte hai
utna main hun nahi Mr Sharma ne room ke andar aate hue kaha saath me Mr
Sharma bhi andar aayi dono ko ek saath andar aate dekh Sameer aur Priya ki
haalat ek dam se kharab ho gaya dono ne unhe itni jaldi aane ki expect nahi kiya
tha
Sameer:- papa aap Sameer isse aage kuch kehta usse pehle hi Mr Sharma ne
kehna suru kar diya
Mr Sharma:- dar mat tum dono ki koi baat nahi suna uss baat ko chhod kar abhi
abhi aaya hun ye soch kar kit um dono ki baatein khatam ho gaya hoga lekin tum
dono ko dekh kar to lag raha hai ki shaayad hi tum dono ki baatein kabhi khatam
hoga itna keh kar Mr Sharma chup ho gaye unki chuppi ke saath hi waha
khaamosh chha gaya ek gehri khaamoshi fir Sameer ne thoda himmat karke
pucha
Sameer:- papa aapko hamaare pyar ke baare me kaise pata chala?
Mr Sharma:- pehle hi jawaab de chukka hun jitna tu mujhe bewkuf samajh raha
hai utna main nahi hun aur ye baat bhi mat bhul ki mera bhi love marriage hi hua
tha kya lagta hai tujhe kisi aashiq ko dekh kar ye nahi pehchaan paaunga ki wo
kisi se pyar karta hai ya nahi tune to kuch nahi bataya par tum dono ki harkato se
saaf pata chal raha tha ki dono hi ek dusre se pyar karte ho lunch aur dinner ki
time me bhi tum dono ki najar khaana par na ho kar ek dusre par hota tha aur
main nahi andha hun aur naa hi bewkuf jo ye baatein samajh na paau aur sabse
badi baat main tera baap hun tu kya karta hai aur kya chaahta hai sab kuch
jaanta hun itna keh kar Mr Sharma fir chup ho gaye aur Sameer ko dekhne lage
Sameer aur Priya dono hi iss baar sharm se apna sar jhuka lete hai dono soch
rahe the ki dono ki aashiqui ke baare me kisi ko pata nahi par dono ka ye bhram
ek pal me hi tut gaya
Mrs Sharma:- Sameer abb to tub hi sarmaane lag gaya Mrs Sharma ne bhi
Sameer ki haalat par majaak udaate hue kaha
Mr Sharma:- abb sarmaana band karo aur bataao kaisa laga mera ye surprise
Sameer:- bohat bhayanak dar se ham dono ka haalat kharab ho gaya tha
Sameer ne ye kehte wakt fir se wo dar mehsus kiya lekin agle hi pal usne isse ek
bura sapna samajh kar jhatak diya
Mr Sharma:- arre dar kaisa main thodi na tum dono ki love story ka villain hun
Sameer:- par lag to aisa hi raha tha Sameer bhi abb dheere dheere khulne laga
tha Mr Sharma ko bhi Sameer ki iss baat par thoda hansi aa gaya
Mr Sharma:- hame tumhaara pyar se koi aiteraaj nahi tha jab mujhe iss pyar ke
baare me pata chala tab se hi main bohat khush hun Priya ko kaun apna bahu
banana nahi chaahega nahi bahu nahi beti hamesha ek beti ki kami mehsus kiya
hai hamne abb shaayad ye kami bhi puri ho gayi Priya ke roop me itna to yakin
hai ki Priya apni patni aur beti hone ka farz acche se nibhaayegi
Mr Sharma ne Priya ki tarag dekh kar kaha unki baato se hi lag raha tha ki wo
Priya se bohat impressed hai
Mrs Sharma:- bohat hi pyari hai meri bacchi (to Sameer) agar tujhe Priya se pyar
na hota to fir bhi jabardasti tera shaadi karwa deta Priya se kuch hi din hua Priya
ko iss ghar me aaye ek alag sa maa beti ka rishta ban gaya hai hamaare bich
abb main bhi bohat khush hun ki Priya hamesha ke liye hamaare paas aa gayi
hai beti ki roop me Mr and Mrs Sharma ki baatein sun kar Priya ko bhi bohat
khushi mehsus hua kuch hi pal me usse itna khushi mil gaya tha ki usse yakin
karna bhi mushkil ho gaya tha ki ye sab sach hai khushi me wo bas itna hi bol
paayi
Priya:- thankhs uncle aunty main apne farz aur jimmedaari ko acche se
nibhaaungi
Mrs Sharma:- abhi bhi uncle aunty
Priya:- sorry thanks maa aur papa itna keh kar Priya fir niche dekhne lagti hai
paasme khada Sameer kabhi apne maa aur papa ko dekhta to kabhi Priya ko
sab kuch bin maange itni aashani se uske chaahne jaisa ho raha tha ki wo uska
bhi khushi ka koi thikaana nahi tha
Mr Sharma:- main bohat dino baad aaj bohat khush hun abb sab kuch thik ho
gaya (to Sameer) tujhe tera bhool ka ehsas bhi ho gaya aur shaayad ek baat
sikh bhi liya ki kabhi bhi gusse me aa kar faisla nahi karna chaahiye khair abb to
bas yahi chaahta hun ki hamaare pariwaaar me hamesha ke liye ye khushi
theher jaaaye itna keh kar Mr Sharma chup ho gaye aur ek lambi saans le kar
sabhi ko dekhne lage fir achanak unhe kuch yaad aaya
Mr Sharma:- main to bhul hi gaya tha Priya ke parents baahar hall me hai aur
main yaha aise hi time waste kar raha hun chalo baahar chalo itna keh kar Mr
Sharma apni jagah se utth gaye ye baat sunte hi Priya ka khushi ka abbkoi
thikaana nahi raha abb usse yaad aaya kitna din ho gaya hai usse apne maa aur
papa se mile hue abb usse aur intejaar nahi ho raha tha apne maa aur papa se
milne ka Priya hi sabse pehle apne maa aur papa se milne pahunchti hai
pahunchte hi usne dono ka pair chhu ke aashirvaad liya aur apne maa ke gale
lag gayi gale milte hi dono ki aankho se aansu nikalne laga lekin ye aansu khushi
ka tha kuch der tak dono aise hi gale lag kar hi ek alag si khushi aur sukoon
mehsus karti rahi kuch hi dur me baithe Priya ki papa ye sab dekh kar bohat
khush thhe unhe khud nahi pata tha ki kab unhone apne patni aur beti ko itna
khush dekha tha ye khushi ke pal dekh kar unhe mehsus hua ki wo abb tak apne
life me kya mehsus karte rahe khair unhone iss paschataap ko apne mann se
nikaal kar filhaal iss khushi ki pal jeene ka socha wo bhi Priya ke paas aa gaye
jab Priya apne maa ke gale se alag hui tab usne dekha ki paas me uske papa
khade hai aur wo muskuraate hue unhe dekh rahe hai fir wo jaake apne papa ke
gale lag gayi Priya ke papa ne bhi usse apne baaho me bhar liya aur uske baalo
ko pyar se sehla kar pucha
P dad:- kaisi hai meri bacchi?
Priya:- thik hun papa aur aap? iss baar Priya ki aawaj me apne papa ke liye
respect tha ye puchne ke baad Priya apne papa ka alag se alag ho gayi aur unke
chehre me dekhne lagi
P dad:- main bhi thik hun dheere dheere daru ki aadat bhi chhut raha hai pehle ki
tarah hansi khushi baaki ka jindagi jeena chaahta hun lekin itna daru pee liya hai
ki kab maut aa jaaye Priya ke papa isse jyada kuch bol paate usse pehle hi Priya
ne unka mouh apne haat se band kar diya
Priya:- kuch nahi hoga aapko itne din khud ke liye jiya aapne abb ham sab ke
liye jeena hoga Priya ki baat me shikaayat ke saath apne papa ke liye care bhi
tha Priya ki baat sunne ke baad Priya ki papa ne thoda muskura kar kaha
P dad:- hamesha tum sab ke saath hi hun beti abb to teri nayi jindagi bhi suru
hone jaa raha hai uske liye bohat bohat mubarak bhagwaan kare tujhe duniya
bhar ki sabhi khushi mile unhone Priya ki sar par haath firaa kar pyar se
aashirvaad diya
P mom:- ye to khush rahegi hi itna accha rishta jo mila hai mujhe to dar hai ki
kahi ye hame bhul na jaaye Priya ki maa ne Priya ka taang khinchte hue kaha
Priya:- maa kabhi aisa ho sakta hai ki main aap ko bhul jaau? Priya ne bohat
maasumiyat se kaha wo jaan gayi thi maa ki baat ki matlab
P mom:- accha ye bata tu pehle kitne din me mujhe phone karti thi aur abb kitne
din me? abb to hafte me ek baar tera phone aa jaaye wo hi bohat hai hamaare
liye
Priya:- wo to main busy thi issliye Priya ko iss wakt isse accha bahana nahi mila
P mom:- jaanti hun kaha busy hai fir se Priya ki maa ne Priya ka taang khinchte
hue kaha iss baar apni maa ki baat se wo thoda sarmaane lagi usne iss baar koi
jawaab nahi diya
P mom:- tu to sarmaane lagi hamne to pehle hi tum dono ki rishte ke liye manjuri
de diya hai iss baar Priya ki maa ne uske sar me pyar se haath firaa kar kaha
P dad:- agar ladka Sameer jaisa ho to inkaar ki koi wajah hi nahi hai dusro se
kaise behave karna hai sahi aur galat ka pehchaan padha likha hua apne se
bade ko respect dena aur mushkil wakt me bhi sahi faisle lene ki kaabiliyat aur
anjaane me hi sahi uski baato se mujhme jo badlaaw aaya wo main kabhi nahi
bhul sakta jindagi jeene ka tarika hi badal gaya bas itna hi kahunga Priya ki tune
Sameer ke roop me bohat accha jeevan saathi chuna hai mujhe yakin hai tu
uske saath hamesha khush rahegi agar maine apne jindagi me sabse accha
kaam kiya hai to tera shaadi Sameer se kara kar maanta hun bohat galat kiya tha
maine aur bohat galat makshad bhi tha lekin kabhi socha nahi tha uska natija
itna accha niklega Priya ki papa ki baat me Sameer ke liye taarif tha unki iss baat
se pata chal raha tha ki wo Sameer se kitna prabhaawit hai
P mom:- bas ek hi khwaahish thi meri apni beti ki jindagi me khushi dekhna aur
aaj wo bhi pura ho gaya teri papa sah keh rahe hai shaayad hi Sameer me koi
kami hai tu uske saath bohat khush rahegi mujhe to Sameer ussi din pasand aa
gaya tha jab wo hamaare gaanw pehli baar aaya tha uss wakt haalat aur
maahaul alag tha lekin shaadi ki wakt bhi maine pehchaan liya tha usse jab tera
shaadi usse hua aur jis majburi me usne tujhse shaadi kiya tha uss wakt mujhe
itna to yakin tha ki teri jindagi puri tarah se tabaah nahi hua hai jo Pratap se
shaadi hone se ho jaata Priya apne maa aur papa ki baat se bohat khush ho jaati
hai unke mouh se Sameer ke liye taarif sunna usse bohat accha lag raha tha
sabhi ki sehmati me uski shaadi uske hi pyar Sameer se hone jaa rahi thi iss
wajah se uske khushi ka koi thikaana nahi tha wo mann hi mann bhagwan se
shukriya kehti hai usse itna khushi dene ke liye wo kuch kehne hi wali thi ki uske
papa kehte hai
P dad:- aaiye samdhi ji aap sabhi ka intejaar kar rahe the Priya apne papa ki
baat sunne ke baad piche mudti hai Sameer apne maa aur papa ke saath niche
hall me aa raha tha aaj jab Sameer ko pata chala ki dono ki rishte ko dono ki
pariwar ne manjuri diya hai tab se wo bohat khush tha jab uska najar Priya par
padta hai tab usse Priya par bohat pyar aata hai aur ye sab uske chehre me bhi
saaf dikhne lagta hai Sameer ko aise dekh kar Priya apne hontho me muskaan
ke saath sarmaa kar dusri taraf dekhti hai kuch hi der me sab apne apne jagah
baith gaye Priya apne maa aur papa ke saath ek sofa me baithi thi aur Sameer
apne maa aur papa ke saath dusre sofe me dono sofa ek dusre ke aamne
saamne tha chhai ki ek chuski le kar Mr Sharma ne baat ki suruwaat kiya
Mr Sharma:- koi dikkat to nahi hua samdhi ji aane me?
P dad:- nahi koi dikkat nahi hua safar bohat accha raha accha ye bataaiye aapne
dono ko kab bataya ki hamne dono ki rishte ko manjuri de diya hai Priya ki papa
ki sawaal sunne ke baad thoda hans kar Mr Sharma bole
Mr Sharma:- bas kuch hi der pehle aur iss tarah se diya ki dono ka chehra
dekhne laayak tha aur khaas kar Sameer ka pehli baar iss ko itna confuse aur
dara hua dekha hai naa hi mera faisla maan paa raha tha aur naa hi mere khilaaf
jaa paa raha tha wo to mujhe thoda taras aa gaya iss par aur Priya ki photo de
kar chala gaya isne shaadi kar ke aane ke baad hae surprise diya aur hamne bhi
siki shaadi ki baat par surprise diya hisaab barabar Mr Sharma ki iss baat par
sabhi ko hansi aaya
Mrs Sharma:- abhi bhi dekh sakte hai kaise chehra niche kar ke sarmaa raha hai
Mrs Sharma ki iss baat se sabhi aur hasne lage sirf Sameer ko chhod ke Priya
bhi Sameer ko dekh kar muskura rahi thi kuch der baad jab sabhi ki hansi
khatam hua tab p dad:- kya hua Sameer itna chhup kyu ho? lekin iss baar bhi
Sameer koi jawaab nahi de paaya wo iss wakt thoda uncomfortable feel kar raha
tha aise maahaul me aur sabhi ke saamne kya bolna chaahiye aur kaise bolna
chaahiye usse kuch samajh me nahi aa raha tha
Mr Sharma:- shaayad abhi uncomfortable feel kar raha hoga haalat bhi thoda
aisa hi hai warna ye itna bolta hai ki kaan pak jaata hai iski baatein sunte sunte
P dad:- abhi tak aisi baatein to nahi suna lekin mujhse jitna bhi baat kiya hai jitna
jaruri hai utna hi kiya hai kisi insaan ko apne kaam me kaise lena kisi ko acche
se samjhaana aur baato se thappad maarna acche se jaanta hai Priya ki papa ne
unka Sameer ke saath jo bhi experience tha sab kuch keh diya
Sameer:- sorry uncle uss wakt aise haalat tha ki mujhe kya karna chaahiye tha
iski samajh bilkul nahi tha uss wakt aapse bohat badtameezi se baat kiya aur
aapko bohat galat bhi kiya uske liye main sharmindaa hun aur aapse maafi
chaahta hun abb jaa kar Sameer ne bola usne ye maafi dil se maanga tha
P dad:- nahi beta maafi maangne ki jarurat nahi hai tum bilkul sahi ho aur tumne
sahi kiya main to ye keh raha tha ki wakt ke hisaab se kaise baat karna chaahiye
aur kya karna chaahiye iska accha samajh hai tumhe hamesha aise hi rehna aur
jaldbaazi me kabhi koi faisla mat karna baaki saari acchaayi tum me hai Priya ki
papa ki baato se hi pata chal raha tha ki wo Sameer se kitna impress hai
P mom:- han accha sanskaar diya hai aap dono ne jisse bhi baat karta hai bohat
respect ke saath baat karta hai mann me kisi ke liye buraai nahi hai ho sake to
sabhi ka madad bhi karta hai bohat accha aur pyara ladka hai Priya ke liye bilkul
sahi hai aur mujhe vishwaas hai ki Priya bohat khush rahegi Sameer ke saath
Priya ki maa bhi Sameer ke baare me jo kuch jaanti thi sab keh diya Priya ki maa
aur papa ki baat sun kar Sameer aur Priya ke saath saath Sameer ki maa aur
papa bhi baht khush ho gaye
Mr Sharma:- hmm baaki sab to thik hai lekin gussa par abhi bhi control nahi hai
iska gussa me bina soche kuch bhi faisla le leta hai aur mushkil me fass jaata hai
ummeed hai Priya jald isse thik kar degi warna main to hun hi iska gussa ka ilaaj
karne ke liye Mr Sharma ne ye baat bhi majaak me hi kaha kuch der aise hi baat
karne ke baad Mr Sharma ne Sameer se kaha
Mr Sharma:- aur kitna chup baithega kuch to bol Mr Sharma ki baat sunne ke
baad Sameer ne kaha
Sameer:- (to Priya) sabse pehle to main Priya ko shukriya kehna chaahunga itna
galat karne ke baad bhi mera saath diya aur wo Priya ka dosti hi tha jisne mujhe
mere aatmaglaani se baahar nikaala aur fir main apne life me pehle ki tarah aage
badh paaya aur issi dosti me kab mujhe pyar ho gaya pata hi nahi chala bahur
der se sahi lekin mujhe iss pyar ka ehsas ho hi gaya aur jab maine apne dil ki
baat Priya se kaha to usne mere pyar ko apna liya main khud ko bohat khush
kismat samajhta hun ki itna sab kuch hone ke baad bhi Priya ne mera pyar ko
swikaar kar liya pata nahi main Priya ka pyar deserve karta tha ya nahi lekin
main abb Priya ki uss vishwaas uss decision ko galat saabit nahi hone dunga
uska iss decision ka maan rakhunga aur hamesha Priya ko khush rakhne ki
koshish karunga jitna pyar Priya mujhse karti hai main bhi usse utna hi pyar
karne ki koshish karunga jindagi ki har modh me aur har haalat me Priya se hi
sikha hai maine pyar ka ehsas kya hota hai aur ye 1 month me hi maine jaana ki
saccha pyar kya hota hai thanks a lot Priya for coming in my life and making me
realize what true love is abb bas yahi dua hai ki hamaara pyar me kabhi koi kami
na aaye aur hamaara pyar kabhi kamjor na pade (to Priya’s parents) aap dono
ko bhi dil se shukriya karna chaahta hun ki aap dono ne Priya ke liye mujhe
chuna aur mujhe iss laayak samjha koshish karunga ki main aap dono ke
vishwaas par hamesha kaayam reh saku abhi tak maine jo bhi galti kiya hai unke
liye maafi maang kar aage se Priya ka khayal rakhne ka vishwaas dilaata hun
thanks for trusting me (to his own parents) ye to hamesha se kehta aaya hun ki
main lucky hun ki aap dono mujhe mere maa aur papa ke roop me mile bachpan
se le kar abhi tak aap ka pyar aur sanskaar hi hai jiski wajah se aaj main aisa
hun maa ne to hamesha mujhe himmat diya aur mere paksh me hi khadi rahi
mere galat hone ke baawjood bhi papa jab maine wo bhool kiya tab uss wakt
aapne jo kiya uska main bohat respect karta hun aapne hi mujhe uss wakt galti
aur jimmedaari ka ehsas acche se karwaya aapki naraajgi ne bhi mujhe bohat
kuch sikhaaya aap dono ko bhi bohat bohat shukriya abhi tak mera itna saath
dene ke liye aur iske alawa mera do dost Rajesh aur Mahesh dono ne bhi mera
accha saath diya jo main kabhi bhula nahi paaunga itna keh kar Sameer chup ho
gaya jab usne chup hua to dekha ki sabhi usse hi dekh rahe the ek pal to usse
samajh me nahi aaya ki usne itna lamba kaise bol diya lekin jo bhi bola tha usne
dil se bola tha issi liye bina ruke itna kuch bol gaya Sameer ki mouh se apne liye
taarif sun kar Priya fir khush ho gayi Priya ki parents bhi Sameer ki baat sun kar
sukoon mehsus karne lage Sameer ki acchaayi to unhone pehle bhi dekha tha
lekin usme aaye jimmedaari ki ehsas se wo Sameer se aur bhi impressed ho
gaye
Mrs Sharma:- maar khaayega agar fir shukriya kaha to hamne jo kiya wo har
maa baap ka farz hota hai abb tera bhi wakt aa gaya hai apne beta hone ka farz
nibhaane ka
Sameer:- dil se nibhaaunga maa hamesha yahi koshish karunga ki kabhi aap
sabhi ko koi pareshaani na ho
Mr Sharma:- accha Mr Sameer Priya ke baare me itna bol diya tune mujhe dar
lag raha hai ki biwi ki aane ke baad tu kahi hame bhul na jaaye
Sameer:- aisa kabhi nahi hoga papa mere life me aapki jagah alag hai aur Priya
ki alag main hamesha khayal rakhunga ki kabhi kisi ke saath anyaay na ho aur
sabhi jimmedaari ko acche se nibhaau itna kehne ke baad Sameer bohat
emotional ho gaya
Mr Sharma:- sach me tu ek din maar khaayega tu mujhe nahi jaanta kya majaak
karne ki aadat hai mera aur itna vishwaas hai tujh par kit u apni jimmedaari
acche se nibha paau fir kuch der issi tarah se baat chalta hai aur kuch hi der me
maahaul halka ho jaata hai
Mrs Sharma:- lagta hai dono ki shaadi thoda jaldi karaana padega tabhi se dekh
rahi hun dono najar chura kar ek dusre ko dekhe jaa rahe hai
Sameer:- fir se shaadi pehle hi ho chuki hai na Sameer ne thoda hairaani ke
saath kaha
Mr Sharma:- han ho gaya hai lekin hamaari gair maujudgi me tu hamaara ek
lauta beta hai aur teri shaadi hamaari aankho ke saamne na ho ye sambhav nahi
hai 2 hafte pehle Priya ka ghar gaya tha aur wo hi tum dono ki shaadi ki date fix
bhi kar liya hai 1 month baad shubh muhrat hai iss baar dhum dhaam se hoga
tum dono ka shaadi Priya ki ghar me Mr Sharma ne bohat excited ho kar kaha
Mr Sharma ki iss announcement se Sameer aur Priya bhi khush ho gaye dono ki
shaadi wo bhi apni aur pariwar ki marzi me ye dono ke liye bohat khushi ki baat
tha
Sameer Priya ko dekh kar pyar se aankh maar deta hai isse Priya sarmaa kar
najar chura kar niche jameen ki taraf dekhne lagti hai
P mom:- (to Priya) tu to abhi kuch bol bhi nahi rahi hai tu bhi to kuch bol Priya
apni maa ki baat sunne ke baad kuch bolne ki koshish karti hai
Priya:- main Priya sarm aur khushi ki wajah se isse aage kuch nahi bol paati hai
aur sarmaa kar apne room ki taraf bhaagti hai Priya ka iss tarah bhaagne se
sabhi samajh gaye ki wo kyu bhaagi hai Sameer koPriya ki iss adaa par aur bhi
jyada pyar aane laga fir waha sabhi kuch der aur baat karte hai shaadi ke baare
me sabhi bohat khush the khaas kar Sameer iss baar Sameer ne bhi khul kar
Priya ke parents se baat kiya aur dhire dhire uska unke saath khul kar baat bhi
hua jab saari baatein final hua aur ye meeting khatam hua tab Sameer khushi ke
saath chhath ki taraf badh gaya iss ummeed me ki Priya bhi waha hogi lekin
seedhi me pahunchte hi uske mobile me ek message aaya message Rajesh ka
tha usme Ramesh aur Pratap ka mobile number tha ye message dekhte hi
Sameer ka chehre ka bhaaw badal gaya
Pratap:- jaldi bol kyu bulaya tune? jyada time nahi hai hamaare paas aate hi
Pratap ne attitude ke saath kaha Sameer ne dekha ki Pratap aur Ramesh dono
saath hi aaye hai
Sameer:- kuch baatein karna hai tum dono se
Ramesh:- kaisi baatein?
Sameer:- baat karne se jyada samjhaane aaya hun bas itna kehna chaahta hun
ki aage se mere life me koi dakhal mat dena abhi tak jo hua wo hua lekin aage
se aisa kuch nahi hona chaahiye
Ramesh:- aur tujhe lagta hai ham samajh jaayenge aur teri baat maan lenge
Ramesh ne hanste hue kaha wo kuch iss tarah se hansa jaise wo Sameer ka
majaak udaa raha hai
Pratap:- accha to tu shaanti samjhauta karne aaya hai itna keh kar Pratap bhi
hasne laga
Sameer:- to tum dono nafrat aur ladaai hi chaahte ho Sameer ne serious ho kar
kaha
Ramesh:- han aur ye nafrat aur ladaai tak tak chalega jab tak ham tujhe barbaad
nahi kar denge
Pratap:- aaj bhi nahi bhule hai hamne wo beizzati jo college me tujhse maar
khaane ke baad hua tha
Ramesh aur Pratap ki baat me Sameer ke liye bohat nafrat tha
Sameer:- accha maine galti kiya maine tumhe maara lekin ye bataao mujhe aisa
karne par kisne majbur kiya
Pratap:- college students hai ham aur ham tere senior bhi thhe ragging ka hak
har senior ke paas hota hai hamaare paas bhi hai lekin tune kya kiya ragging ke
against me jaa kar sabhi ke saamne hame peet diya kya ham mandir ke ghanti
hai jo koi bhi aayega baja kar chala jaayega aaj tak nahi bhula hun wo beizzati
dost to kya dushman bhi hamaara majaak banaane lage ki ek junior se peet gaya
ye nafrat ka badla aisa lunga ki tu bhi yaad rakhega tune kisse panga liya tha jab
tak ham dono hai teri life kabhi khushi se kat nahi paayega
Sameer:- maanta hun tumhe bohat bura laga ki maine tum dono ko maar kar
tumhaara beizzati kiya lekin tumne kya kiya ragging me Priya ko kiss karne ke
liye bola abb bataao ye kaunsa tarika hai ragging ka socha hai Priya ko kaisa
laga haoga jab tum dono ne public me aisa ghatiya task diya tha jis tarah se
tumhe bura laga socho usko kitna bura laga hoga mujhe uss wakt jo sahi laga
maine wo hi kiya ye to tum bhi maante hoge ki galti usa wakt tum dono ka hi tha
Sameer abhi bhi shaant tha aur dono ko samjhaane ki koshish kar raha tha
Ramesh:- tu to sach me shaanti samjhauta karne aaya hai chal bhaag hame teri
koi baat nahi sunna hai hamaara badla tabhi pura hoga jab tujhe ham barbaad
karenge lekin ek baat samajh me nahi aaya tu aise shaant kaise ho gaya aur
hamse itna dar kyu raha hai college me to bohat hero banta tha na
Pratap:- ye mohobbat aisi hi cheej hai yaar hero ko bhi zero bana deta hai
majbur ho jaate hai aise log apne aur apno ke baare me soch kar iss ka bhi yahi
haal hai dar raha hai ki koi isse aur Priya ko alag karke barbaad na kar de itna
keh kar Ramesh aur Pratap dono hasne lagte hai ussi andaaz me jaise dono
Sameer ka majaak udaa rahe hai
Sameer:- zero nahi banaya hai balki matured banaya hai agar aaj pehle wala
Sameer hota jisse pyar mohobbat me vishwas nahi hota to uska jawaab kuch
aisa hota tune mere saath jo kuch bhi kiya hai bohat galat kiya hai galat aadmi se
galat wakt me panga liya hai abb tera khair nahi hai count down suru ho gaya hai
chhodunga nahi tum dono ko ek ek galti ka sabak sikhaaunga aur wo Sameer
gusse me tum dono ka wo haal karta jo main bhi soch nahi sakta gussa mujhe
haiwaan bana deta hai jis Priya se main abhi itna pyar karta hun uske saath itna
galat kiya to socho tumhaara kya haal hota tum dono se badla lene ke liye mere
paas bohat wakt hai Sameer ka aisa badla hua roop dekh Ramesh aur Pratap ek
dam se chaunk gaye
Ramesh:- to tu sach me ladna chaahta hai
Sameer:- nahi abb nahi Priya se pyar hone ke baad bohat kuch badlaaw aa gaya
hai mujhme har baar gusse me decision nahi leta hun abb iss baar tum dono ke
baare me thanda dimaag se socha fir mehsus kiya ki har baar badla aur nafrat
jaruri nahi hai kabhi kabhi kuch baatein ignore bhi karna padta hai abb mera life
me sab kuch thik chal raha hai hamesha saath nibhaane wale mata pitaa aur
mujhse beintehaa pyar karne wali Priya mili hai aur saath me Priya ki jindagi me
bhi khushiyon ki baarish ho gaya hai abb isse jyada mujhe kya chaahiye fir main
kyu kisi se dushmani rakhu aur kisi ke saath galat karu
Pratap:- lekin ye khushiya bas kuch hi pal ka mehmaan hai teri jindagi me
Sameer:- fir wohi baat main tujhe samjhaane aaya hun nafrat aur badla hi sab
kuch nahi hota hai life me agar hota to main abb tak apna badla le chuka hota
aur mere paas iske liye tujhse bhi badi wajah hai maine tujhe sabke saamne
maara lekin tune kya kiya mera jindagi barbaad karne me koi kami nahi chhoda
wo bhi mera best friend ka istemaal kar ke main kitna ghut raha tha apne galti ki
wajah se ye main nahi bata sakta bohat galat feelings aane laga tha aur khud se
hi nafrat hone laga tha aur Priya uss bechaari ki kya galti tha mujhse badla lene
ke liye tum dono ne uska jindagi barbaad karne se bhi piche nahi hate wo to
accha hua ki ham dono ki jindagi fir se badal gaya aur jindagi fir se sahi raah me
chal pada aur Rajesh apne badle ke liye tum dono ne uska accident bhi kara diya
abb bol badla lene ke liye mere paas tujhse accha wajah hai ya nahi agar pehle
wala Sameer hota to iss baare me kuch sochta bhi nahi sidha apne kaam suru
kar deta lekin lucky ho tum dono ki uss wakt apne problem me tum dono ko bhul
gaya tha
Ramesh:- to kisne mana kiya hai tujhe kuch karne se tu apni taraf se koshish kar
aur ham apni taraf se tera ye do chaar baatein hamaara badle ki iccha ko badal
nahi sakta
Sameer:- thik hai jo chaaho wo karo lekin yaad rakhna main pehle se kamjor
nahi hun bas shaanti se baat karne aaya tha agar nahi samajhna chaahte to kya
kar sakte hai
Pratap:- samajhna tujhe chaahiye tha ki jab bhi koi insaan kisi ko barbaad karne
aur badla lene ka soch le to usko samjhaya nahi jaa sakta do chaar mithi baato
se pehle thappad maar aur fir chocolate de kar mana le itna buddhu hai kya
ham?
Sameer:- buddhu nahi samajhdaar socha tha khair
Pratap:- kya matlab?
Sameer:- tum dono acche khaase padhe likhe ho mba padhe ho laga tha meri
baat ko acche se sunoge samjhoge aur fir kuch faisla karoge lekin tum dono
sunne ko taiyaar hi nahi ho bas badla lene ka jidd par hi tike hue ho itna keh kar
Sameer chup ho gaya aur dono ki taraf dekhta hai dono chup the
Sameer:- kuch pal ke liye mujhe bhul jao aur bataao dosti bada hai ya dushmani
Ramesh:- dosti
Sameer:- ye to tum bhi maante ho abb bataao faisla jaldbaazi aur gusse me lena
chaahiye ya fir samajhdaari aur shaanti se
Ramesh:- samjahdaari aur shaanti se
Sameer:- abb ye bhi bataao ki kya hamaara life sirf hamaara hi hai ya fir hamaari
life me hamaare pariwar jisne hame paala hame bada kiya hamse ummeed
rakha ka bhi koi hak hai
Ramesh:- hamaara pariwar ka bhi hak hai
Pratap:- ye tum dono kaisi baatein kar rahe ho
Sameer:- bas kuch der acche se sunna meri baatein aur aage faisla tumhaare
haath me hai accha abb ye socho agar ham dono aapas me lade aur maan lo
kisi ek ko bhi kuch ho gaya to hamaare pariwar par kya guzrega ek maa baap ka
beta yaani budhaape me sahara khatm ho jaayega wo bhi kis wajah se college ki
kuch students ki group war ki wajah se sunne me accha lagta hai kya? hamaare
chhoti si jidd kisi pariwar par kya nukshaan pahuncha sakta hai apne ego satisfy
karne ke liye dusro par kya bit sakta hai Sameer itna keh kar chup ho gaya aur fir
se Ramesh aur Pratap ko dekhne laga dono abb chup the aur Sameer ki baat
par seriously soch rahe the
Sameer:- badla to main bhi le sakta hun bas issi soch se maine ye khayal apne
dimaag se nikaal diya main tum dono ko bura insaan samajhta tha kuch din
pehle jab tumhaare baare me pata kiya to pata chala ki tum dono me bohat
acchaaiyan bhi hai apne pariwar ke prati jimmedaari aur majbur logon ka saath
dena ye baatein maine notice kiya hai bas ek badla lene ka jidd tum dono ko
galat bana raha hai tumhaare baare me jaane ke baad socha ki agar tumse
badla liya to main jeet jaaunga lekin tumhaare maa aur papa bhi haar jaayenge
jinhone 25 saal se tum dono ko paaala hai iss ummeed me ki tum dono
budhaape me unka sahara bano lekin mujhe unhe haraana nahi hai wo bhi ek
chhoti si wajah ke liye aur yaar badla aur nafrat me kya rakha hai ek baar kisi se
dosti kar ke dekh lo dekhna duniya kitna alag hoga aur hamaare paas badla lene
ka sirf wajah ye hai ki maine tum dono ki beizzati kiya aur tumne mere life ko
barbaad karne ki koshish kiya jaha fir se sab kuch thik ho gaya hai abb badla
lene ka matlab sirf ego satisfy karna hai abb tum dono hi bataao kya ham aisi
chhoti chhoti baaton ko ignore karke aage nahi badh sakte jaha khushiyan aur
safalta hamaara intejaar kar raha hai ya fir apne life me ek hi mission rakhe ki
dusro ko barbaad kar ke apna badla pura kar sake acche se socho aur fir bataao
badla hi sab kuch hai han kuch baato ko ignore karke life me khushi aur shaanti
se aage badhna jaruri hai kahi ham badla lene me khud ko hi badal to nahi rahe
hai ki hame abb sahi galat ka pehchaan tak nahi raha? abhi tak hamaare bich jo
bhi hua usme dono taraf se galti hua hai jyada aur kam ki baat na kare to dono
taraf se galti hua hai aur tumhe abhi bhi lagta hai ki galti sirf mera hi hai to main
dil se tum dono se maafi maangta hun aage tumhaara marzi agar badla lena hi
chaahte ho to main bhi taiyar hun aur sab kuch bhula kar dosti karna chaahte ho
to bhi main taiyar hun itna keh kar Sameer chup ho gaya
Pratap:- kyu itna soch raha hai Ramesh? ye dar ki wajah se hame uljhaana
chaahta hai Pratap aage kuch kehne hi wala tha ki Ramesh ne usse bich me hi
rok kar kaha
Ramesh:- iski baato se nahi lagta ki ye dara hua hai paisa aur dosto ki kami nahi
hai iske paas agar chaahe to aasani se hame hara sakta hai ye baat accha kaha
isne ki duahmani se bada dosti hota hai aur kuch baato ko hame ignore bhi
karna chaahiye agar dekha jaaye to galti hamaara bhi hai badla ki chaahat me
hamne bhi kayi galtiyan kiya hai baat to sahi hai Sameer ka itna keh kar Ramesh
bhi chup ho gaya
Sameer:- to kya faisla hai?
Ramesh:- abhi koi faisla nahi liya hai acche se soch kar baad me bataaunga
Sameer:- ok intejaar rahega lekin mujhe faisla pata chal gaya hai ek aur baat
bataana tha ek mahine baad mera shaadi hai jarur aana card jaldi bhejunga
Sameer ne bohat confidently kaha atul ki iss baat se Pratap aur Ramesh dobo ko
hansi aa gaya
Pratap:- confident bohat hai yakin nahi hota sach me bhul gaya ye badle ka plan
sach hi kaha tune chhoti chhoti baaton ko bhul kar dosti karna hi behtar hai
Ramesh:- accha hai ki kuch baatein abhi clear ho gaya badla lene ka hi sochte to
hamaara hi nukshaan tha family ki baato ko bohat acche se kaha tune ki ham jo
bhi karte hai usse hame hi nahi hamaare family par bhi asar padta hai shaayad
pehle hi ye baatein college me hi suljha lete to jyada accha hota aaj baat yaha
tak nahi pahunchta aaj mehsus ho raha hai isa badle ke chakkar me ham sach
me bohat badal gaye the badla ke liye na jaane kitne galti kiya aur aage bhi
karne wale the
Sameer:- abhi bhi sab kuch thik ho gaya yahi bohat hai aur rahi baat college ki to
shaayad usa wakt ye possible nahi tha uss wakt ham sabhi me ego aur ghamand
kuch jyada hi tha koi apna galti nahi maanta aur khud ko dusro se accha
dikhaane ki koshish karte bohat accha laga ki tum dono samajh hi gaye meri
baat
Ramesh:- socha nahi tha badle ka plan dimaag se iss tarah se niklega thanks
yaar iss tarah se sochne par majbur karne ke liye abhi mehsus hua ki galti
hamaara hi jyada tha aur accha hua ki abhi ehsas hua abb ji hua usse badal to
nahi sakte koshish karunga aage se aisa kuch na ho ham galat insaan nahi the
college me thoda masti aur badle ki chaahat ne bura bana diya sorry yaar abhi
tak jo kuch bhi hua uske liye
Sameer:- sorry mat bolo uss wakt mera bhi galti tha mera ghamand aur nafrat ki
wajah se Priya aur tum dono se relation kharab ho gaya tha bas itna koshish
karte hai ki aage se aisi galtiyan na ho fir Sameer ka dono se kuch der aise hi
baat hota hai kuch der baat karne ke baad Sameer ka dono se relation me bohat
sudhaar aata hai fir Sameer dono se bidaa le kar apne ghar ki taraf badhta hai
Sameer:- (in his mind) ye kaam bui acche se ho gaya accha hua ki abb ye
dushmani dushmani nahi raha insaan ko kabhi kabhi jhukna bhi sikhna chaahiye
aaj thoda jhuka to sab kuch thik ho gaya unn dono ke baare me pata karne ke
baad pata chala ki koi bhi insaan waisa nahi hota hai jaise ham sochte hai acche
se jaane ke baad hi ye baatein pata chalta hai har insaan me acchaai hota hai
aur kuch wajah se hi galat raaste ki taraf chalte hai jaldbaazi se jyada
samajhdaari se liya hua faisla behtar hota hai aur acche se aur politely baat karte
hai to dusri taraf se bhi log waise hi baat karenge aaj ye baat bhi sikh liya Priya
aur papa se kiya hua ek vaada pura kar diya maine vaada kiya tha ki kabhi
gusse me faisla nahi lunga aur gusse pe kaabu karunga aaj bina gussa ke apna
kaam kiya aur kaamyaab bhi raha aise hi baatein sochte hue Sameer apne ghar
pahunch jaata hai
Priya:- kisne kaha tha tumhe unse milne jaane ke liye? aur wo bhi mujhe bataye
bina? Priya ne thoda darte hue aur naarajgi ke saath kaha
Sameer:- arre shaant ho jao kitna bhadak rahi ho pehle mera baat to suno
Sameer ne pyar se kaha
Priya:- kya sunu? tum to mere koi baat sunte hi nahi? kitni baar kaha hai kahi bhi
jaa rahe ho to mujhe bata kar jao aur aaj to itni badi baat nahi bataya tumne aur
bina kuch soche samjhe unn dono se milne chale gaye?
Sameer:- jaruri tha iss baar jaana aur kaam bhi thik se ho gaya abba age se
tumhe bata kar hi kuch karunga abb to maan jao aur ek smile de do Sameer ne
Priya ko manaane ke liye kaha
Priya:- han ho gaya kaam lekin agar tumhe kuch ho jaata to jaante nahi ho kya
kaise insaan hai wo dono? mujhe to abhi bhi vishwaas nahi hai unn dono pe
Sameer:- mujh par vishwaas hai na tumhe
Priya:- bohat khud se bhi jyada
Sameer:- to fir yakin kar lo wo sach hi bol rahe the saaf pata chal raha tha ki
dono sach bol rahe the aur ek baat mehsus kiya ki wo dono utna galat bhi nahi
the jitna main soch raha tha aur accha hua ki wakt me hi ye sab pata chal gaya
aur maine unse badla lene ka khayal dimaag se nikaal diya abb hamaare jindagi
me koi bhi dushman nahi hai sab kuch thik ho gaya abb
Priya:- accha hua jo sab kuch thik ho gaya aur agar wo nahi maante aur tumhe
kuch ho jaata to pata hai mujh par kya gujarta
Sameer:- aur main aisa hone deta kya? socha tha unhe acche se samjhaaunga
iss ummeed se ki wo mere baat samajh jaayenge agar fir bhi nahi samajhte to
main aage ki haalat ke liye bhi taiyaar tha abb ye baat bhul jao na koi acchi si
baat karte hai shaadi ke baare me baat karte hai apne future ke baare me
Sameer ne iss baar kuch jyada hi pyar ke saath kaha
Priya:- nahi main abhi bhi tumse naraaj hun
Sameer:- aur wo kyu?
Priya:- dekh rahi hun aaj kal tum apne mann maani kuch jyada hi karne lage ho
mere liye time nahi dete ho aur apne hisaab se hi kaam karte ho Priya ne
shikaayat kiya
Sameer:- hmm jaanta hun aaj kal pehle jitna time nahi de paa raha hun thoda job
ki wajah se busy tha aur thoda papa ko hamaare baare me bataane ki tension
me lekin abb tension ki koi baat nahi abb chaahe jitna bhi busy kyu na ho jaau
weekend me kuch ghante saath bitaayenge
Priya:- sach me? Priya khush ho kar boli
Sameer:- bilkul sach
Priya:- vaada karo?
Sameer:- promise
Priya:- soch lo abb main sirf tumhaara girlfriend aur lover hi nahi hun tumhaari
wife bhi hun aur wife se jhut bolne ka matlab samajhte ho na mujhse bura koi
nahi hoga Priya ne Sameer ko ghurte hue kaha lekin pyar se
Sameer:- abb tumhaari dhamki ke saamne kya karta hun koshish karunga kabhi
apne vaade se piche nahi hatu
Priya:- koshish nahi kisi bhi keemat par picche nahi hatoge?
Sameer:- accha agar workload jyada na hua to
Priya:- tabhi to tumne promise bhi kiya aura bb fir picche hat rahe ho Priya ne
naraaj hone ka acting karke kaha Sameer kuch soch raha tha Priya ko jawaab
dene ke liye ki tabhi Priya ne kaha
Priya:- sach me buddhu hi rahoge tum main to majaak kar rahi thi sabse pehle
apne kaam par dhyan dena aur uske baad job hi wakt mile kaafi hai mere liye
pyar ke liye wakt hi sab kuch nahi ek dusre ka vishwas aur saath bhi utna hi
jaruri hai mujhe yakin hai mera Sameer par chaahe wo kitna bhi busy kyu na ho
mere liye uska pyar kabhi kam nahi hoga? aur yahi pyar to mujhe chaahiye main
tumhe sirf apna aashiq hi nahi ek successful insaan bhi hota dekhna chaahta
hun iske liye sirf pyar nahi kaam me mehnat bhi chaahiye Priya ki baat sunne ke
baad Sameer ko Priya par aur bhi jyada pyar aane laga aur usne Priya ki gaal
par kiss karte hue kaha
Sameer:- mujhse pyar hone ke baad bohat samajhdaar ho gayi ho
Priya:- kya?
Sameer:- kuch nahi tumse pyar hone ke baad main samajhdaar ho gaya Sameer
ne darne ki acting karte hue kaha Sameer ki aisi harkat par Priya ko bhi hansi aa
gaya aur hanste hue wo boli
Priya:- buddhu ho tum
Sameer:- sirf tumhaare liye
Priya:- aur sirf mere liye hi rehna
Sameer:- aur kiske liye ho sakta hu?
Sameer ne ye keh to diya lekin agle hi pal uske dimaag me ek majaak aa gaya
Sameer:- naam kya tha uska han Anjali uske liye hone ka bhi chances hai wo
mujhe impress karne ka koi mauka apne haath se jaane nahi de rahi hai
Priya:- han ha han accha joke tha tum pehle hi mujhe bata chuke ho uska
attraction bas pehle din ke liye hi tha jab tum mere saath mere ghar gaye the tab
usse koi aur pasand aa gaya
Sameer:- ye to galat hai tum mera acting bhi jaan jaati ho
Priya:- main hun hi smart lekin tum Shruti ka naam bhi to le sakte the wo tumhe
impress karne ka koi mauka nahi chhodegi
Sameer:- uska naam bhi mat lo itna gussa aata hai ki uske baare me sochna bhi
chhod diya hai Pratap aur Ramesh ke paas to ek wajah tha badala lene ka lekin
Shruti ki wajah to bohat hi bakwas tha Sameer ka mood ek dum se off ho gaya
Shruti ka naam sun ke
Priya:- maine bhi usse kuch din pehle phone karke samjha diya hai ki abhi bhi
agar sudhar jaayegi to aage jindagi me uske liye bohat accha hoga aur pehle
jaisi hi rahi to baad me uska apna koi bhi nahi hoga
Sameer:- koi faaida nahi kutte ki puchh kabhi sidha nahi hota lekin usne kya
jawaab diya?
Priya:- kuch bhi nahi ummeed hai wo sudhar jaayegi
Sameer:- mujhe koi matlab nahi hai jo mann me aaye wok arre lekin meri life me
fir dakhal andaazi kiya to mujhse bura koi nahi hoga iss baar Priya ne bhi
mehsus kiya ki Sameer ka mood kuch jyada hi off ho gaya hai fir wo iss topic ko
chhod kar Sameer se pehle ki tarah hi baat karne lagti hai kuch hi der me
Sameer ka mood bhi thik ho jaata hai Priya ki pyari baaton se
Sameer:- accha Priya ye bataao tumhe kaisa mehsus ho raha hai abb to
hamaara shaadi bhi hone wala hai
Priya:- shabdon me bayaan nahi kar sakti lekin itna khushi milega mujhe kabhi
socha nahi tha thanks Sameer mere life me aane ke liye aur meri life me itna
khushi lane ke liye Priya ne Sameer ko dekh kar kaha uski baato me aur aankho
me Sameer ke liye bohat pyar tha
Sameer:- pagli ye dialogue mujhe bolna chaahiye tumhaara mere life me aane
ke baad hi to mujhe pata chala pyar kya hota hai abhi mera life me jitna bhi
khushi hai uss sab ki wajah tum ho Sameer ne bhi bohat pyar ke saath kaha
Priya:- hmm abb to bas yahi ummeed hai ki hamaara pyar hamesha aisa hi rahe
Sameer:- aisa hi rahega bas itna kahunga ki agar kabhi koi shikaayat ho mujhse
to mujhse jarur bataana warna kabhi kabhi aisi hi baaton se galatfehi ho jaata hai
aur galatfehmi hone se kya hota hai ye mujhse behtar kaun jaanta hai bas itna hi
request hai tumse ki hamesha mujhse aisa hi pyar karna aur job hi baat ho dil me
be jhijhak bolna
Priya:- agar tum ye na kehte to bhi main karti Sameer Priya ki iss baat ka koi
jawaab nahi deta hai bas usse dekhta rehta hai
Priya:- aise kya dekh rahe ho kaha na aine main smart hun Priya ne kuch aise
andaaz main kaha ki Sameer ke hontho me apne aap muskaan aa gaya fir dono
kuch der aise hi pyar bhari baatein karte hai aur dono ek dusre ki hone ki khushi
ek dusre ke saath mehsus kar rahe the ye raat dono ke liye bohat khaas aur
khushi se bhara hua tha
Raat ke 11 baje
Priya:- accha to abb main chalti hun
Sameer:- itni jaldi baitho na kuch der aur tumse baat karne me accha lag raha
hai
Priya:- buddhu kal subah mujhe ghar bhi jaana hai maa aur papa ke saath agar
abb nahi soyi to subah utthna mushkil ho jaayega
Sameer:- kyat um ghar jaa rahi ho? lekin kyu aur wo bhi kal kuch din to ruk jao
Sameer ko jaise Priya ki baat par vishwas hi nahi hua
Priya:- shaadi hai 1 month ke baad aur shaadi gaanw me hi hone wala hai
shaadi ki taiyaari ke liye jaana hai
Sameer:- uske liye to 1 month baaki hai abhi kyu jaa rahe ho?
Priya:- 1 month ye tumhe jyada lag raha hai kuch hi din me beet jaayega aur jab
maahaul shaadi ka ho to mujhe bhi tumhe chhod kar jaane ka mann nahi hai par
kar bhi kya sakte hai bas 1 month wait karo uske baad to main tumhaari hun
hamesha hamesha ke liye
Sameer:- 1 month bohat hai intejaar karne ke liye abb to bas yahi dua hai ki galti
se hi sahi gaanw me tumhaara phone lag jaaye
Priya:- kabhi intejaar ka bhi to maja lo intejaar main pyar aur bhi badhta hai Priya
ne Sameer ko chidhaate hue kaha Sameer ne koi jawaab nahi diya uska chehra
hi latak gaya
Priya:- chinta mat karo gaanw se thodi hi dur me shehar hai waha se roj phone
karungi Priya ki iss baat se Sameer ko thoda sukoon mila
Sameer:- koi baat nahi kabhi kabhi phone karogi to bhi chalega abb tum bhi apne
ghar me 1 month ke liye ho ye wakt tum apne maa papa saheli ke saath gaanw
me hi bitaao kisi tarah 1 month wait kar lunga han mushkil jarur hai lekin kar
lunga Sameer ne Priya ke baare me sochte hue kaha
Priya:- issi wajah se hi to tumse pyar karti hun kitna sochte ho mere baare me I
love you
Sameer:- I love you too
Priya:- tumhaara pyar se bhi jyada Sameer iss baar jawaab nahi deta aur Priya
ko hi dekhte rehta hai
Priya:- accha abb main chalti hun Sameer bhi saar haan me hilaa deta hai Priya
abb utth kar gate ki taraf jaane lagti hai Sameer usse piche se dekhta hai Priya
chhat ke gate me pahunch kar kehti hai
Priya:- meri yaad me jyada aansu mat bahana milenge 1 month baad fir se
hamaare issi romantic spot (chhat) me jaha se hamaara pyar ka suruwaat hua
propose hua aur bohat saare pyar bhare lamhe beeta itna keh kar Priya chali
jaati hai aur saath me Sameer ke hontho me fir se muskaan chhod deti hai issi
tarah Sameer aur Priya ki pyar ko ek manjil mil gaya nafrat se suru hua iss
kahani ka anjaam pyar me aakar khatam hua aisa pyar aur vishwas ki shaayad
hi kabhi koi kami aaye aur pyar ka aisa taakat ki kabhi koi musibat aaye to bina
kisi dar ke mukabla kar sake

You might also like