100% found this document useful (1 vote)
8K views1,212 pages

Fantasy Attitude

The document narrates a poignant story about a young couple, Jairaj and Minu, facing a critical situation during childbirth, where Minu chooses to sacrifice her life for the sake of her child. Miraculously, after the birth, Minu revives, leading to a joyful reunion with her husband and their newborn. The narrative also hints at a divine connection and the significance of the child's birth, marked by unusual circumstances and a special birth time.

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
100% found this document useful (1 vote)
8K views1,212 pages

Fantasy Attitude

The document narrates a poignant story about a young couple, Jairaj and Minu, facing a critical situation during childbirth, where Minu chooses to sacrifice her life for the sake of her child. Miraculously, after the birth, Minu revives, leading to a joyful reunion with her husband and their newborn. The narrative also hints at a divine connection and the significance of the child's birth, marked by unusual circumstances and a special birth time.

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 1212

FANTASY ATTITUDE

ATTITUDE iss shabd ka aksar log galat matlab nikalte hain Ghamand toh fir EGO kya hai?
Attitude ka matlab Nazariya hota hai Dhrishtikon hota hai EGO toh lagbagh har kisi me
paya jata hai par Attitude ye rakhna har kisi ki aukat nahi toh chaliye shuru karte hain ye
safar jisme iss ka mukhya kirdar VJ apko iss Attitude se rubaroo karwayega

Dhenkanal Orrisa ka ek chota sa town ye baat hai 24 May 1998 raat ke 11 baje ek sarkari
hospital me ek ladki operation table ke bed par padi thi uski delivery ka waqt ho gaya tha
ladki isilye kyu ki wo mahaz 19 saal ki thi uske aas paas uska apna koi naa tha aisa nahi ki
wo iss duniya me akeli thi uska pati tha mata pita the bhai the behan thi par uske maike
walon ne usse naata tod diya tha uss ka pati civil engineer the aur iss waqt site pe gaya
the uss ladki ko asahaniya dard ho raha tha ussi waqt uske pati hospital pahunche apni
biwi ki dardbhari awaaz unke kaan ke pardon ko jhanjhod rahi thi Dr ne unhe andar bulaya
aur kaha ki case critical hai wo maa aur bache me kisi ek ko hi bacha sakte hain ladki ke
husband ko jaise sadma sa ho gaya par kuch waqt baad khudko majboot kar unhone kaha
ki unhe unki patni sahi salamat chahiye bacha toh phir ho jayega toh Dr ne kaha ki agar
bacche ko giraya gaya toh unki patni fir kabhi maa nahi ban payegi itne dard me bhi uss
ladki ne jab ye baat suni toh uska kaleja kaamp gaya usne Dr se kaha sir aap bache ko hi
bachahiye bas koshish kijiyega ki main kamse kam apne bache ko ek baar dekh sakun itni
saanse mujhe dilwa dijiyega uska pati iske liye bilkul raazi nahi tha par uss ladki ne usse
apni kasam dekar apni baat manwa li bhare dil se apne aansuon ko samete wo bahar chala
gaya

Dono ye baat nahi jante the ki unhe baadalon ke upar se muskurate hue bhagwan dekh
rahe the unki patni ne jab unse iska kaaran pucha toh unki muskurahat aur gehri ho gayi
unhone kaha ye balika nahi janti ki iske kokh me jo ansh hai wo divya hai isse dharti par
lane ke liye isne apne jeevan ka tyag karne tak ka kathin faisla kar liya hai

Gods Wife:- toh kya wo mar jayegi uski umar hi kya hai maa banana har aurat ke liya ek
garv ki baat hai aap keh rahe hain ki uske garv me divya ansh hai toh kya wo ye gourav
mehsoos nahi kar payegi

God:- maine aisa toh nahi kaha main toh bas dekhna chahta tha ki kya ye iss ansh iss divya
shakti ko janm dene layak hai mujhe iska jawab mil gaya

Gods Wife:- aisa kyu?

God:- kyu ki iske baalak me mere shaktiyon ka ansh hoga par mere shaktiyon ka kuch ansh
Shaitan me bhi hai par usne uska sahi upyog nahi kiya upar se abhi kalyug hai har taraf
paap hi paap hai aise me iski taakat ka sahi maargdarshan zaroori hai aur maa se bada
guru koi nahi iss ladki ka mann komal aur sacha hai aur irade dhridh mere ansh ka palan
poshan uska uchit margdarshan ye zaroor puri nishtha se karegi kuch samjh aaya

Gods Wife:- kuch kuch aapki leela aap hi jane bhagwan ki muskuraat aur gehri ho gayi

Idhar neeche Drs puri koshish kar rahe the ki operation successful ho aur bacha aur maa
dono bach jayen? par wo jante the ki ye mumkin nahi bahar ladki ka pati Ganpati bappa
ke murti ke aage aansun bahaye apne patni aur bacche ki zindagi ki bheek maang raha
tha ab sarkari hospital wo bhi ek choti se jagah me aise me koi private ward sound proof
glasses toh honge nahi uss ladki ki dard se bhari cheekhen har taraf gunj rahi thi fir wo
samay bhi aaya jab uss bache ka iss sansar me aana ka waqt ho gaya achanak mausam
badalne laga May ka mahina waise toh garmi ka hota hai aur wo din bhi kuch alag na tha
naa hi raat alag thi par achanak bijliye kadakne lagi hawa ne raftaar pakad li mano duniya
ko hi uda dena chahti ho mahol kafi rahasyamayi lagne laga logon ko samjh nahi aaraha
tha ki ye ho kya raha hai andar Drs apne kaam me lage the ladki ke sar ke paas ek nurse
thi jo usse push push (dhakka) dene ko keh rahi thi achanak ek zordar cheekh ke saath wo
ladki behosh ho gayi aur ussi waqt light bhi chali gayi par usse pehle hi Drs ne bachhe ko
khich liya bache ka janm thek 12:01 Minute me hua jo ki ati shubh tha kyu ki ye ek bramh
muhurth tha par ye kya bache ke bahar aate hi har taraf ek roshni faile gayi aur bahar
barish shuru ho gayi jaise aasman bhi khushi mana raha ho idhar andar kuch bhi dekha
nahi jaa sakta tha kuch pal ke baad roshni apne aap kam hone lagi aur phir khatam ho gayi
aur tabhi light bhi aa gayi kisi ko kuch samjh nahi aa raha tha ki ye hua kya akhir Drs ki
nazar jab bache pe gayi toh unhone dekha ki bacha unhe hi dekh raha hai saari medical
team jo uss room me thi wo bhi bache ko dekhne Dr ke paas aa gaye par sabhi chonk gaye
kyu ki bache ki aankhen kafi badi aur gehri thi aur wo Dr ko apni gehri kaali nazro se tuk
tuk dekh raha tha wo ro nahi raha tha uske chehre pe ek ajeeb si shanti thi sab uss bache
me kho se gaye par bache ne pakle japkayin aur jaise sab achanak hosh me aa gaye kisi
ko kuch bhi jo bhi hua tha yaad na raha roshni ka hona bache ka naa rona kuch nahi par
fir ek nurse ki nazar uss ladki par gayi uski halat bohat kharab lag rahi thi Dr ne bhi gour
kiya aur uske nabz ko apne haath me lekar check kiya Dr samjh gaya ki ye ab bach nahi
payegi uski nabz bohat dheere chal rahi thi ya ye kahe ki naa ke barabar chal rahi thi Drs
ne ladki ke pati ko bulwaya usse jab pata chala ki uski patni bas chand lamho ki mehman
hai toh wo khud ko sambhal nahi paya aur phoot phoot ke rone laga usse samjh nahi aa
raha tha ki wo kisko dosh de apni biwi ko jiski zid ke aage wo haar gaya ya uss bache ko
jiski wajah se uski patni ab nahi bachegi wo soch hi raha tha ki nurse uske bache ko lekar
uske paas aayi congratulations bolke bacha pakda kar chali gayi bache pe nazar jaate hi
uske saare sawal saare dosh gayab ho gaye wo bhi bache ki sundarta uske aankhon ki
gehrai me kho sa gaya Dr ki awaz se usse hosh aaya Dr ne kaha ki unki patni ki saanse
kabhi bhi ruk sakti hain wo chahti thi ki marne se pehle ek baar apne bache ko dekh le toh
aap bache ko unke paas chhod den bhari kadmo se wo admi apne bache ko apni patni ke
sirhane leta diya aur bahar aa bench par baith gaya usse bardasht nahi ho raha tha

Chaliye andar ka haal bhi jaan lete hain bache ki maa besudh awashta me leti hui thi bacha
baju me leta haath paun chala raha tha par achanak ek chamatkar hua hua ye ki haath
chalate chalate bache ka haath uski maa ke haath ya ye kahe nabz se takra gaya aur haath
ke lagte hi ladki ke sharir ko ek jhatka laga uski nabz se hote hue wo jhatka uske sine tak
gaya aur uski dhadkan tez ho gayi aur phir normal ho gayi ladki ke chehre ka thakan door
ho gaya aur aisa lagne laga jaise wo bas so rahi hai kuch der baad nurse aayi toh usne bhi
ye notice kiya wo turant Dr ko bula layi Dr aaye aur jab laki ka nabz check kiya toh shock
ho gaye phir bhi sansusti ke liye unhone uski aankhen check ki toh aur chonk gaye kyu ki
wo ladki sirf so rahi thi unhe kuch samjh nahi aaya wo bahar aaye aur uss ladki ke husband
ko dhundne lage wo kuch dur hospital ke start ke ek bench pe baitha tha Dr uske paas
gaye aur sab bata diya usse bhi yakin nahi hua par bhagte hue jab andar gaya aur apni
patni ko dekha toh pehle toh shock ho gaye fir khushi se chillaa uthe Minuu ji haan yahi
hai uss ladki ka naam shock issliye hue kyu ki Minu ko hosh aa chuka tha aur wo apne
bache ko godh me khela rahi thi wo daudke apni patni ke paas gaye aur ek side se Minu
ko gale laga liya Minu ke bhi khushi se aansu nikal gaye wo janti thi ki uske faisle ne uske
pati ko kitna dard diya hoga kuch der aise hi rehne ke baad dono alag hue ab dono hi
behad khush de akhir maa baap jo bane the unka ghar bhi ab roshan ho chuka tha

Intro

Hero's Father's: Jairaj Singh

Occupation: Civil Engineer but sapna hai khud ka business start karne ka ye bachpan se hi
anath hain Anath Ashram me reh kar hi padhai ki inhone bohat struggle kiya hai life me
ye aaj jahan bhi hain apne dum pe hain inka ek aur sapna hai ki jo zindagi ye naa ji paye
wo unka beta jiye

Hero's Mother: Menakshi Jairaj Singh just sweet 19 B com previous private me kar rahin
hain a proud wife and now a lucky mother too color complexion pink white beautiful face
brown eyes dil ki soft par utni hi confident inki love marriage hui hai inke parivar waalo
ko manzur nahi tha aur jaisa ki aksar hota hai mohobbat ne rishton ko maat dedi inhone
apne mohobbat ke saath bhag kar shadi karli jab wapas ghar gaye toh gahr walon ne
chehra dekhane tak se inkar kar diya ab ye ghar se door apne naye aashiyane me khush
hain par ghar ki yaad toh aati hi hai naa ek aas ek dua hai inki khuda se ki inke ghar wale
inhe wapas apna len

Hero of the story: Vikram Jairaj Singh yani ki main urf VJ kyu ki delivery normal hui thi 48
ghanton me hi discharge mil gaya magar in 48 ghanton me kuch kuch ajeeb bhi hua tha
meenu kamzor thi issliye usse baar baar neend aajati thi par jab jab meenu soti thi uske
sapne me angels aate the aur uske new born baby ke palne ke paas baith kar gaane gaate
the usse dekh muskurate the isse Minu ki neend toot jati thi pehli baar toh usse ye mahaz
sapna hi laga par jab yahi sapna baar baar aaya toh wo kuch pareshan ho gayi akhir maa
jo thi usne ye baat apne pati Jairaj ko batayi par unhone isse ittefaq delivery ke baad
thakan se dimag ka kamzor hona bol kar taal diya par ek baat unhe bhi ajeeb lag rahi thi
baat ye thi ki unka beta in do dino me ek baar bhi roya nahi tha bas shant rehta tha jaise
kuch soch raha ho bas jab uski maa ya wo khud usse godh me lete the tab halka sa
muskura deta tha do dino ke baad wo apni patni aur bache ke saath circuit house wapas
aa gaye chaliye inke ghar ke bare me batata hun ye ek circuit house me rehte the ye ek
company ka diya bada sa ghar tha jahan sirf uss company ke civil engineer rehte the ye ek
kisam ka khoobsurat sa bangla tha ye ek duplex tha jisme kul teen bedrooms the jinme
bathrooms attached the do neeche aur ek upar iske alawa ek store room kitchen aur ek
bada sa hall tha ghar ke bahar chota sa lawngarden aur left side me servents quater tha
right side me ek garage tha

Teeno subah hi ghar pohunch gaye the Jairaj kaam ke maamle me bohat imandar aur
strict the par baki ke waqt wo ek behad milansaar vyati the gahr ke noukaron ko bhi apna
hi maante the Saare noukar apne chote maalik ko dekhne ke liye bohat utsuk the aur jab
bacha unke saamne aaya toh sab behad khush ho gaye abhi tak ek baat kisi ne gaur nahi
ki thi yaha tak ki Minu aur Jairaj ne bhi nahi kamla naam ki unki ek naukrani thi 35 ki thi
bechari uss umar me hi vidhwa ho gayi thi koi bacha bhi nahi tha kamla bohat zyada
dharmik thi aur tona kala jadu chamatkar in sabme vishwas rakhti thi kabhi kabhi Minu
bhi jab akeli hoti thi toh usse baat kar kiya karti thi uski baatein kafi rochak hua karti thi
kamla Minu ko apne apne alag alag anubhawon ke bare me batati thi jo Minu bade maze
se sunti thi Minu ko ishwar me aastha toh thi par jadu aur chamatkaron me usse vishwas
na tha wo bas timepass ke liye kamla ki baatein sun liya karti thi jab kamla ne bache ko
dekha toh usse laga jaise koi shakti hai jo usse apne taraf khich rahi hai kamla bache ke
thoda paas aa gayi aur dhayan se dekhne lagi usse bache ke mukh pe bohat tej nazar aaya
dekhte dekhte achanak uski nazar bache ke bayen pair ke anguthe pe padi toh wo chowk
gayi dhayan se dekhne par uska shak yakin me badal gaya bache ke bayen pair me paanch
ki jagah 6 ungliya thi usme bhi akhir ki teen ungliyan ek saath judi thi usse ye ajib laga
usne jab ye baat Minu aur Jairaj ko batayi toh unhone bhi dekha toh wo bhi shock hoga
ye ki abtak unhone khud ye kaise nahi dekha tha

Kamla:- malik malkin ye ek bohat hi shub sanket hai

Minu:- tu phir shuru hoga yi kamla

Kamla:- arre malkin vishwas kare acha ek baat batayen chote malik ka janm kab aur kitne
baje hua tha

Minu:- 25 May yani parso raat ke 12 bajke ek Minute me kyu? (Jairaj ne Minu ko bache ke
paida hone ka waqt bata diya tha kamla phir chowk gayi malkin mujhe pehle sirf shak tha
par ab yakin ho gaya hai ki chote malik bohat tejasvi hain kyu ki parso raat baarah baj ke
ek ka waqt bramha muhurt tha aur ussi waqt chote maalik bhi paida hue ho na ho ye koi
bohat bada chamatkar hai par Minu aur Jairaj isse matra ek sanjog maan rahe the

Kamla:- thek hai malkin main ek kaam karti hun mere pehchaan me ek bohat hi gyani Baba
hain Vishaakt Rini Baba main kal unhe bula lati hun apko bache ka naam karan toh karna
hi hai naa unse behtar iss kaam ke liye koi na hoga aur lage haat meri baat ki bhi pushti
ho jayegi

Minu:- kyu jee aap kya kehte hain?

Jairaj:- yaar mujhe insab baaton me vishwas toh nahi hai par haan naam karan toh karna
hi hai aur jinka ye naam le rahi hai unka naam bhi suna hai maine mera supervisor bhi
unka gun gaan karta rehta hai chalo issi bahane unse bhi mil lenge pata chal jayega ki Baba
sach me gyani hain ya koi dhongi

Kamla:- thek hai malik toh main kal subah hi unhe bula leti hun

Raat guzri aur surya uday ke saath ek naye subah ka agaman hua waise toh filhal garmi ke
din the par aaj ka mousam hi kuch alag tha hawa me bilkul bhi garmahat nahi thi sheetal
hawa mann aur tan dono ko bohat rahat pahuncha rahi thi lag hi nahi raha tha ki garmi
ka mousam chal raha hai aur yaha Jairaj ke pure ghar ko phoolon se sajaya gaya tha ghar
ke bahar alag alag rangoli bani hui thi maano dipawali ka tyohar ho par aaj ka din toh Minu
aur Jairaj ke liye kisi bhi tyohar se upar tha aaj unke ghar ke chirag ka naam jo rakha jane
wala tha subah ke 10:30 baj rahe the Minu apne kamre me aaine ke saamne khadi ho
saari pehen rahi thi ye ek hari kanjivaram ki saari thi jo Minu ki khoobsurti me chaar chand
laga rahi thi Jairaj bahar hall me the decorations me nazar rakh rahe the kaam saare
lagbhag ho hi gaye the Jairaj ko bhi halki thakawat ho rahi thi wo subah se hi ghar sajane
me lage hue the waise toh ek civil engineer ke ghar me noukaron ki bhid rehti hai par
Jairaj ek self made mann the jo struggle unhone apni life me kari thi usne unhe itne bade
ohde me pahunchne ke baad bhi kafi down to earth rakha tha unhe zyadar kaam khud hi
karna pasand tha aur aaj toh unke nazare noor unke bache ka naam karan tha wo toh
dogune josh se saare sajawat me haath bata rahe the ek aur karan ye bhi tha ki unki wife
abhi abhi delivery ke baad hospital se wapas aayi thi unka jism filhal kamzor tha Jairaj
unhe bilkul bhi mehnet nahi karne dena chahte the pyar jo beshumar karte the apni patni
se khair kaam saare lag bhag pure ho gaye the toh Jairaj bhi tayar hone apne room
pahunch gaye par room me ghuste hi jo nazara unke aankhon ke saamne aaya usse wo
wahi thi thak kar rook gaye unki aankhen bhi palke jhapkana bhool gayi Minu apna
shringar lagbhag pura kar hi chuki thi bacha paida karne ke baad thakan ke bawajood
Minu ka jo rang saamne nikhar kar aaya tha wo Jairaj ko ghayal karne ke liye kafi tha aur
abhi tak toh Jairaj ne aaine me hi sirf Minu ke aks ko hi dekha tha aur ye haal ho gaya abhi
toh asli hamla baki tha aur wo bhi ho hi gaya final touchup ke baad Minu jab palti toh
saamne Jairaj ko khade paya Minu ke palatte hi uski khoobsurti Jairaj ke saamne thi Jairaj
ko aisa laga jaise koi apsara asman se utar uske saamne khadi hai khudko aisa ghoorte
dekh Minu ko kuch samjh nahi aaya usne aankon se ishara kiya ki kya hua? apne liye taarif
sun Minu ke gore gaal laal ho gaye shadi ko unke ek saal ho chuka tha par jante wo ek
dusre ko for saalon se the Jairaj ka pyar uski deewangi itne saalon me zara bhi kam nahi
hui thi the toh wo husband wife but rehte lovers ki tarah hi the

Minu:- dhat aap kahi bhi shuru ho jaate ho abtoh sharm karoek bache ke baap ban gaye
ho Minu ki baat par Jairaj zor se hans pade phir bole

Jairaj:- darling agar sharm karte toh baap kaise bante bhai hum toh apke ashiq hainapki
taarif karna hamra haq hai

Minu:- bade aaye taarif karne wale chaliye jaiye Baba ji ke aane ka waqt ho gaya hai unhe
intazar karana thek nahi Jairaj ne bhi ye thek samjha aur turant bathroom me ghus gaye
Minu apne bache ke paas jakar baith gayi ab tak usne bhi gour kiya ki naa toh uska bacha
ek baar bhi roya hai naa usse bhook lagi hai par jab bhi doodh khud se pilao pita hi chala
jata hai thoda ajeeb toh tha ye sab par matru prem ne iss sochko gehrane na diya Minu
ne kuch der tak bache ko dudh pilaya phir usse palne me rakh usse niharti rahi bacha bhi
shaant mudra me bin palke jhapkayen apni maa ko dekhta raha idhar kamla Vishakt rini
Baba ji ko lekar ghar ki taraf nikal chuki thi unka ghar paas hi tha waise bhi ye town chota
sa tha saari jagah aas paas hi thi kuch dus Minute ke andar hi Baba ji aur kamla ghar ke
dwar tak pahunch gaye Baba ji ka mukh ek dum shant tha jaise unhone zindagi namak
paheli ki guthi suljha li ho Baba ne jaise hi bahar ke gate ke andar paanv rakha waise hi
unke dil ki dhadkan badh gayi ek ajeeb si vyakulta se unka mann bhar gaya unhe laga jaise
unki barso ki pratiksha khatam hone wali hai wo wahi ruk gaye aur aankhen band kar li
Baba Vishakt ke aane ki khabar aas paas ke gharon me bhi faile chuki thi sab unke darshan
hetu Jairaj ke ghar ke paas pahunch gaye the kuch jo jaan pehchaan ke the wo gate ke
andar hi dera daale khade the Baba ji ko yun achanak rook aankh band kar dhayan karne
jaisa dekh kar sabko ajeeb laga kamla jo Baba ke aage aage chal rahi thi usne achanak
piche mudke dekha toh Baba ko aankh band kar khade paya wo bhi unki aur wapas chal
di idhar Baba ji aankh band kar kisi aur hi duniya me pahunch gaye the wo khud waha
nahi pahunche the balki kisi agyat shakti ne unhe waha apne paas bulaya tha har tarf
kohra tha Baba ji ko kuch nazar nahi aa raha tha fir dheere dheere wo dhundh hata aur jo
saamne aaye usse dekh Baba ji ko apni aankhon pe vishwas nahi hua wo apne ghutno pe
gir gaye kyu ki unke saamne swayam param Pita parmeshwar the jo Baba ji ko dekh
muskura rahe the

Baba ji:- hey param kripalu param pujya pita parmeshwar hey bhagwan aapne mujhe
punah darshan diye (jee haan punah pehle bhi ye bhagwan se mil chuke hain kaise? bas
abhi pata chal jayega) hey Prabhu kya mere gunah maaf ho gaye kya ab mujhe moksh mil
jayega

(Doston chaliye kahani thoda peeche le chalte hain)

baat abse kuch hazaron saal purani hai kalyug ne duniya me paon pasara nahi tha uss
waqt Baba Vishakt rini tapasya me leen the sadiya beet chuki thi najane kitne hi mausom
badle par Vishakt Baba par iska koi asar nahi hua samay bitata gaya tapasya aur kathin
hoti gayi par Baba ji tas se mas nahi hue phir wo din bhi aaya jiske liye Baba itne kathin
tap kar rahe the param pita parmeshwar ko unki ye dhridhta achi lagi aur wo Baba ke aage
pragat hue

Bhagwan:- putra Vishakht utho putra ankhen kholo main tumhari tapasya se prasann hua
ankhen kholo aur mango kya chahte ho Vishakht Baba ne aankhen kholi aur jab bhagwan
ko saamne dekha toh khushi se jhoom uthe apneaap ko bhagwan ke charanon me jhuka
pehle saastang pranaam kiya phir uth kar bole Prabhumain dhanya hoga ya kya main apse
kuch bhi maang sakta hun
Bhagwan:- ni sankoch hokar mango putra par dhayan rahe jo bhi tum mango usme jagat
kalyan ho na ho kisika nuksaan nahi hona chahiye

Vishakht:- avashya Prabhu par kya main do vardan maang sakta hun

Bhagwan:- thek hai putra mango

Vishakht:- Prabhu main iss sansaar ka sabse zyada gyani manushya banana chahta hun
aisa kuch na ho jo mujhe naa pata ho na koi mantra na koi rog aur uska upchaar aur dusra
wardan ye ki main jab bhi chahun aapse dhayan me jaakar baat kar sakun

Bhagwan:- tathastu ye kah bhagwan adrishya ho gaye Vishakht Baba bhi iske baad waha
se antardhayan ho apne nagar Sorampur (kalpanik) chale gaye jane kitno yugon se Baba
Vishakht apni tap me leen the wo toh apne tab ke bal par ab bhi jawan hi the par unke
ghar wale apna jeevan chakr pura kar najane kab ka ye sansar chhod chuke the Baba
Vishakht jab ghar pahunche tab unhe iss kadwe sach ka bodh hua unhe iss baat ka bohat
dukh hua aur wo waha se antardhayan ho gaye aur wo pahunche bharat ke uttari bhag
me pahadon ke beech base ek gaon me jiska naam tha SILHARPUR ye ek bohat hi sundar
gaon tha sabhi sukh suvidhaon se bharpoor yaha ek taraf jharne theDusri taraf lehlahate
khet yaha ki zameen bohat upjau thi jiske chalte kheti bohat acchi hoti thi aur yaha ka
kamain ka mahatvapurn shrot bhi yahi tha Baba Vishakht antardhayan ho sidha yahi
pahunche unke hridaya me jo parivar viyog ke karan dard tha yaha akar kuch kam hua
yaha unke mann ko ek alag hi shanti mili unhone wahi aage ka jeevan bitane ka nirnay liya
iska ek kaaran aur bhi tha Silharpur me jadi buti prachur matra me thi aise poudhe aur
ped the jinse najane kitne rogo ka upchaar ho sakta tha par iski jaankari kisiko na thi par
Baba Vishakht ki baat kuch aur thi bhagwan se vardan pakar ab wo sarvgyani ho chuke
the jagah dekhte hi unki divyadrishti se kuch na chup saka unhone vahin gaon se kuch hi
dur ek kutiya bana rahne lage jahan wo rehte the wahi ek nadi behti thi ek din jab Baba
Vishakht waha snaan kar rahe the toh unhe nadi ke paas pathar ke peeche kuch kapda sa
dikha jab Baba paas gaye toh unhone dekha ki waha ek ladki thi jo murchit ho gayi thi par
phir bhi kaamp rahi thi Baba usse utha apani kutiya me le aaye aur paas hi ke kuch patthon
ko tod aushadhi bana uska lep ladki ke mashtishk me laga mantra ucharnan karne lage
"Drinna upcharya namah" kuch hi der me ek roshni ka gola Baba ke haath se nikal ladki
ke mastishk se hote hue uske andar chala gaya kuch hi waqt me usse hosh aa gaya thek
toh wo aushadhi se hi ho gayi thi par mantron se uski sharirik shakti turant laut aayi wo
Baba ko dhanyawad kar ghar chali gayi ghar pahunchi toh usse uske pariwarwale baithe
mile jo kafi udas dikh rahe the ladki ko dekh wo khush ho gaye mel milap ke baad ladki ki
mata ne usse pucha wo subah se kaha thi ladki ne bataya ki wo nadi ki taraf yunhi ghumne
nikal gayi thi pani me khelte khelte uska pair fisla aur uska sar ek pathar se takraya wo
murchit ho gayi fir Baba ke bare me bhi bata diya wo uss gaon ke ek dhani ghar ki beti thi
phir kya tha ye baat har jagah fail gayi uske ghar wale Baba ka shukriya karne unke kutiya
me gaye uss dhani vyakti ke ghar me ladki ke dada ko kodh ho gaya tha bohat jagah
koshish ki par koi unhe thek naa kar saka uss dhani vyakti ne Baba se pucha ki kya wo
apne pita ko ek baar dekhenge toh Baba ne haan kaha aur usse bhi chand palon me hi
thek kar diya fir kya tha Baba ki khyati charon dishaon me gunjane lagi dur dur se log apne
rog mukt karane Baba ke paas aane lage yaha tak ki rajgharano se bhi aur har koi thek
hokar hi jata Baba Vishakht ki log bhagwan se tulna karne lage aur yahi se shuru hui Baba
ki durdasha ki shuruwat Baba Vishakht ko khud ke upar guman hone laga vinamrata adar
sab kuch dheere dheere Baba Vishakht ke vyavahar se vilupt hone laga ab Baba har kisi
ka ilaj nahi karte the kewal raj gharon se aaye logon ka ya dhani vyaktiyon ka hi wo
upchaar karne lage kutiya ki jagah ek bhavya aashram ne le li Baba ke seva me itne sevak
rehne lage jitna kisi raja ke paas bhi na the aise hi din beetne lage ek din baikunt riti rajya
se Rishi Vishisht apni putri Aarti ke saath Baba Vishakht ke ashram padhare par unhe kafi
intazar karna pada kyu ki Baba Vishisht ke ye aram karne ka waqt tha Rishi Vishisht ko
krodh toh aaya par apne putri ki wajah se wo chup rahe Aarti ko jadi buti aushadhya me
bohat ruchi thi unhone Baba Vishakht ka bohat naam suna tha toh apne pita se zid kar
unhe le Baba Vishakht se milne chali aayi kafi der baad Baba Vishakht aaye unki nazar
Aarti par jam gayi ye Baba ab pehle wale Baba toh the nahi jahan pehle komal hridaya tha
ab usme makkari aa gayi thi jin aankhon me shraddha thi ab usme Aarti ke liye hawas dikh
rahi thi par unhone apni monadasha chehre pe dikhne nahi di unhone bade adar se Rishi
Vishista ko baithaya Rishi Vishista ka krordh Baba Vishakht ke vyavahar se shant ho gaya
Rishi Vishista ne apne aane ka karan Baba ko bataya ki unki putri yaha unki shishya ban
kar rehna chahti hai Baba Vishakht khush ho gaye wo bhi toh yahi chahte the ek gehri
nazar Aarti ke badan ko dekhkar Rishi Vishisht ko Baba ne apni sehmati de di Rishi Vishisht
apni putri sounp wapas chale gaye Baba ne Aarti ko uska kamra dikha diya

Aarti ek 18 varshiya charchare badan wali sundar ladki thi uska youvan apne zor pe tha
par jeetni wo khoobsurat thi utni hi shant or komal bhi uske pita ne usse bohat hi ache
sanskar diye the kuch dino me hi iss baat ko Baba Vishakht bhaamp bhi gaye unhone
bohat koshish ki Aarti ko impress karne ki alag alag mantra padhte chamatkar dikhate
aushadhiyon ke bare me nayi nayi baatein sirf Aarti ko bataate taki uske karib jaa saken
par Aarti bas kaam se kaam rakhti aur chamatkaron ka bhi uspe kuch khaas asar nahi hota
Baba Vishakht ye nahi jante the ki Rishi Vishisht ek siddh purush hai aur aise chamatkar
Aarti bachpan se hi dekhte aa rahi hai

Ek baat aur bhi thi ki Aarti bohat tez thi rijhaane ke chakkar me Baba Vishakht ye nahi
dekh paye ki unki saari vidhya Aarti ek baar me hi Sikh leti thi mantron ka upyog usse nahi
aaya tha par aushadhiyon ka pura gyan usne prapt kar liya tha ek varsh beet gaya Baba
apni koshishen Aarti ke upar karte rehte the par Aarti bas apne kaam se kaam rakhti thi

Ek din Baba Vishakht apne kamre me vishram kar rahe the tabhi ek sewak aaya

Sevak:- Baba Vishakt aapse milne Talinda desh ke maharaj aaye hain

Baba Vishakht:- unse kaho intazar kare hum aa rahe hain Sevak chala gaya aur bahar
maharaj ko ye khabar de di kuch samay paschat Baba Vishakht bahar aaye aur maharaj se
mile aur aane ka karan pucha

Maharaj:- guruwar kripya kar meri sahayata kijiye mere kul ke sabhi bacho ko riksh rog ho
gaya hai (iss rog me jo bhi khao ulti ho jati h aur badan bhi sukh jata hai) main badi aas
leke aapke paas aaya hun

Baba Vishakt:- Rajan chinta ki koi avashyakta nahi hai hamare paas sabhi rogon ka upchar
hai par aap bataiye isse hume kya laabh hoga

Raja:- Prabhu aap bataiye aapko kya chahiye main apne vansh ke liye koi bhi keemat de
sakta hun

Baba Vishakht:- apko hame apne rajya ka hissa dena hoga kahiye kya apko manzoor hai
Raja thoda chonk gaye kyu ki unhone ye nahi socha tha par kar bhi kya sakte the unhone
haan keh diya

Baba Vishakht:- maharaj iss rog ki aushadhi himalaya ki ek ghati me hai waha pohochna
asaan nahi hum antardhayan hoke bhi bas uss jagah ki seema tak hi jaa sakte hain uske
aage pita parmeshwar ke ashirvaad se bane Ruvadu pedon ka jungle hai waha se hume
chal kar aage jana hoga isme kuch waqt lagega (Ruvadu ek ped hai jisme jivan dene ki
shakti hai aur bhi aloukik shaktiyan hai jiske bare me vistar me aage pata chalega) aap
nishint hokar apne rajya prasthan kare hum aushadhi lekar aapke paas pohonchte hain

Raja:- thek hai Gurudev jaise aapki aagya aur maharaj chale gaye iske baad Baba Vishakht
ne Aarti ko rijhane ka ek aur prayatn kiya usne Silharpur ki puri zimmedari Aarti ko dedi
aur khud chale gaye aushadhi lene aur yahi se unki patan ki shuruwat hui Baba Vishakht
ke jane ke baad Aarti ne saara kaam ache se sambhal liya jin logon ko Baba Vishakht ab
nahi dekhte the unka bhi upchar Aarti ne niswarth bhawna se kiya jo gungan kabhi Baba
Vishakht ka hota tha wahi ab Aarti ke liye hone laga par iska Aarti par zara bhi dush
prabhav nahi pada woh ussi nirmal aur saaf mann se logon ki seva karti rahi

Udhar Baba Vishakht ko un junglon ko paar kar aushadhiuon ko prapt karne me kafi
mehnet lagi par usne wo haasil kar hi li waha se wo talinda desh chale gaye sabhi bacho
ka upchar kar unhone unhe thek kar diya Maharaj ne Baba Vishakht ko kuch din rukne ka
nimantran diya taki aadha raajya unke naam par kar sake likhit me Baba ko bhi koi aapatti
nahi thi kyu ki ek toh raj vilas ko kaun thukraye aur ab unhe kisi ke dard se rog se koi
humdardi bhi nahi thi jab se logon ne unhe bhagwan ka darja diya tha tabse unhone
dhayan laga bhagwan se baat karna bhi chhod diya tha unhe lagne laga ki jab wo swayam
bhagwan se kam nahi toh fir kyu baat kare

Kuch 3 mahine paschaat Baba Vishakht wapas apne aashram pahunche par wapas aakar
umhone jo dekha usse wo bohat krodh me aa gaye jahan pehle unki jayjaykar hoti thi ab
wahi sabhi Aarti ke goon ga rahe the unhe ye bardasht nahi ho raha tha par wo kar bhi
kya sakte the wo chup rahe par andar hi andar unhone arti se badla lene ka mann bana
liya kuch din yunhi beet gaye ab bhi kuch aise rog the aur unki aushadhiyan thi jo sirf Baba
Vishakht jante the inhi rogon me ek rog tha Mridanukti rog iske lakshan shuru me pilia
jaise lagta the par asal me iss rog me sharir ke saare chidra se pus nikalne lagta tha jaise
jaise chidra bade hone lagte the dard asahaniya hota jata tha aur fir sharir ke fatne se
mout ho jati thi par dard ke lakshan baad me pata chalta tha iska upchar sirf Baba Vishakht
ke paas hi tha ek baar ek mahila apna ilaj karwane ashram me aayi Aarti ne uska ilaj kar
diya par uske jaate waqt Baba ne apne mantron ke shakti se jaanbujh kar ye rog uss mahila
me daal diya kuch din baad wo mahila wapas aayi Aarti ne usse dekha usse ye pilia hi laga
usne uske upchar hetu kuch dawai di par dawa khate hi uss mahila ke sharir ke chidra
khulne lage asahaniya pida uthi aur dekhte hi dekhte uss aurat ka sharir fat gaya

Uska pati saath me hi tha apni patni ki aisi mout dekhkar wo pagal sa hoga ya idhar Aarti
ko kuch samjh nahi aa raha tha ki ye kya ho gaya kuch der rone ke baad wo aadmi krodh
se jal utha aashram me bohat se log the sabhi ka yahi haal tha sab Aarti ko hi doshi keh
rahe the Aarti bhi kya kehti wo toh khud sadme me thi usse hosh dard se aaya hua ye ki
uss mari hui aurat ke pati ne kahi se ek pathar uthakar Aarti ke sar par mara Aarti ka sar
phat gaya uske baad sabhi yahi karne lag gaye koi pathar maar raha tha koi lakdi se maar
raha tha Baba Vishakht chup chap khade muskura rahe the unhe unka badla pura hota
nazar aa raha tha kuch der yuhin chalta raha phir jab log hate toh waha ek aur shav tha
Aarti ka shav
Wahi door kahi Rishi Vishisht dhayan me baithe the achanak unhe apni putri ke saath kuch
anarth ghatne ki aashanka hui wo turant antardhayan ho ashram pohunch gaye iss tarah
Rishi Vishista ko apne saame dekh ek baar toh Baba Vishakht bhi ghabra gaye unhe nahi
pata tha ki Rishi Vishista itne pahunche hue hai par apne takat ke ghamand me chur
unhone zyada dhayan nahi diya Rishi Vishisht apni putri ki mrut sharir dekh stabdh reh
gaye ek sidh purush ke aankhon se bhi aansu nikal aaye kuch der yunhi khade rahe phir
unhone pucha ki ye sab kaise hua bhid me se kisine namak murch lagakar sab bata diya
par aakhir me ek bhool kar di usne usne Aarti ko badhchalan keh diya ussi wat uski raakh
zamin par padi thi hua ye ki apni putri ke bare me galat sun Rishi Vishisht ki aankhon me
aag utar aaya unhone ghoor kar uss aadmi ki taraf dekha Rishi Vishisht ki aankhon se aag
nikal kar uss admi ko laga aur wo wahi raakh ho gaya sab ye dekhkar bhaag khade hue par
Rishi Vishisht ne apna haath upar kiyaek mantra padha aur sabke pair wahi jam gaye koi
hil nahi paa raha tha Baba Vishakht bhi ye dekh dar gaye par ab kar bhi kya sakte the Rishi
Vishisht bhari kadmo se apni putri ke shav ke paas gaye aur uske sar par haath rakh kuch
mantra padha achanak Rishi Vishisht ke maathe me ek jayote dikhne lagi ye unki divya
drishti thi jise wo jo chahe dekh sakte the Rishi Vishisht ko sab kuch dikhne laga Baba
Vishakht ki dhokebaazi bhi achanak unki aankhen khul gai khrod se unka mukh laal ho
gaya wo aage badhe aur Baba Vishakht ke aage khade ho gaye Rishi Vishisht ka ye roop
dekh Baba Vishakht ke pair thar thar kaamp rahe the

Rishi Vishisht:- guru Vishakht apne vardan ke goroor me tum sab kuch bhul gaye tumne
ye bhi yaad naa raha ki bhagwan ne tumhe kya kaha tha ki kabhi kisi ko tumhare gyan se
haani nahi honi chahiye thi par tum apne ghamand me ye maha apraadh kar gaye lalach
ne satta ne tumhe andha kar diya par ab nahi main tumhe shraap deta hun main tumse
tumhari shakitiyan cheenta hun chahun toh tumhe abhi maar sakta hun par nahi tumhe
ek aisi zindagi dunga jo maut se bhi battar hogi tumhe gyan chahiye tha naa wo tumhare
pass hi rahega tumne jis tarike se iss aurat ke aushadhi me bimari milai jo dard iss aurat
ne saha wahi dard ab tumhe sehna hoga hamesha sehna hoga aur iss dard ka upchar hai
tumhara gyan aur uska upyog jab bhi tum kisi rogi ko niswarth bhaav se thek karoge
tumhara dard chala jayega par sirf ek peher ke liye dard se bachne ke liye tumhe lagatar
logon ki seva karni hogi par ye dand bhi kafi nahi tumhe main dirghaayu ka avishaap deta
hun haan thek suna ye tumhare liye avishaap hi hai kyu ki ab se tumhe bhook toh lagegi
par tum kuch grahan nahi kar paoge jo bhi khaoge khoon ke saath bahar aa jayega par
tum maroge bhi nahi sirf tadpoge Baba Vishakt stabdh reh gye shraap ka asar shuru bhi
ho chuka tha unhe dard mehsoos hona shuru ho gya tha
Rishi Vishisht:- aur tum sab log kitne swarthi ho itne din meri beti ne tum logon ki sewa ki
sab bhool gaye sach hi toh kaha hai kisinejitna bhi acha karlokoi ek galti bhi ho gayi toh
saari achaiyan dikhni band ho jati hai tum sab ko jeene ka koi adhikar nahi Rishi Vishisht
ne apni aankhen band kikuch mantra budbudaye aur haath upar kiya achakan bijliyan
kadki aur jitne bhi log khade the sab jalkar rakh ban gaye Baba Vishakht ne Rishi Vishisht
se bohat viniti ki par wo nahi maane apni putri ke shav ko utha antar dhayan jo gaye kuch
mahine beet gaye Baba Vishakht ki haalat bad se badtar ho gayi jab bhi kisika upchar karte
ek pahartak ki shanti milti par phir wahi dard aur upar se bhook kuch kha bhi nahi sakte
the ab tak unhe bhi apni bhool ka ehsaas ho gaya tha ek raat wo dard se tadapte ped ke
niche baithe hue the apni galtiyon ke bare me soch rahe ki unhe kuch karahane ki awaaz
sunai di dard me bhi wo uss aur badhe dekha ek vridh aadmi chattan ke niche baith kaamp
raha tha Baba Vishakht uske paas gaye usse chhua toh pata chala ki usse tez bukhar hai
Baba Vishakht ki halat kuch thek nahi thi fir bhi wo uthe aur kuch poudhon ko dhundne
lage zyada intazar nahin karna pada poudha paas hi tha patte tod ras nikal uss vridh ke
paas jakar unhe wo ras pilane lage dheere dheere uss admi ka kaapna band ho gaya par
ye kya Baba Vishakht ka bhi dard chala gaya achanak uss vridh ka roop badal gaya aur jo
saame aaya usse dekh Baba Vishakht ghutno par aa gaye saamne aur koi nahi swayam
param Pita parmeshwar the aur muskura rahe the Baba Vishakht ghutno ke bal baith foot
foot kar rone lage bhagwan ne unhe uthaya

Bhagwan:- tum itne kasht me the toh tumne mera dhayan kyu nahi kiya

Baba Vishakht:- kis mooh se yaad karta bhagwan main iss kabil nahi

Bhagwaan:- tumhe paschatap hai ye achi baat hai main khush hua main Rishi Vishisht ke
shraap ko todunga nahi par iska ek hal hai mere pass sunoge

Baba Vishakht:- krupa kare Prabhu

Bhagwan:- toh suno tumhara dard toh rahega par ab jab bhi tum kisiki madad karoge toh
uss pure din tumhe kuch nahi hoga roz madad karoge toh hamesha theek rahoge Aur
haan jab jab madad karoge uss din bhojan bhi kha sakoge

Baba Vishakht:- Prabhu kya iska koi sampurn hal nahi krupa mujhe dirgh aayu se bhi mukt
kare ye shapit jeevan main nahi jeena chahta main apki sharan me rehna chahta hun

Bhagwan:- iska waqt abhi nahi aaya par aane wala hai bohat shighr kal yug aane wala hai
uss yug me paap apne charam par hoga shaitan ati shaktishali hoga tab mera ansh iss
sansaar me aayega jab bhi uska janm hoga uska naam tum hi rakhoge uske pair ko apne
maathe pe lagate hi tum avishaap mukt ho jaoge

Baba Vishakht:- toh kya tab mujhe mokhsa mil jayega main apke sharan me aa jaunga

Bhagwaan:- iska jawab bhi main tumhe tab hi dunga tab tak logon ki dil se seva karo Baba

Vishakht:- jo aagya Prabhu

Bhagwaan:- mangal ho Baba Vishakht aankh band kar dhayan mudra me khade the
dekhne walon ko samjh nahi aa raha tha ki ye kya ho raha hai par kisi me himmat nahi thi
ki kuch bhi Baba se puche idhar Baba bhi dhayan avastha mere bhagwan ke saamne haat
jod kar khade the uss din ke baad bhagwan ne kabhi Baba Vishakht ko darshan nahi diya
tha aur aaj achanak hi Prabhu ko saamne dekh Baba Vishakht apne bhavnaon ko sambhal
nahi paa rahe the unke aankhon se ashruon ki dhaar si nikal rahi thi bhagwan bhi chup
chap khade muskura rahe the kuch shan ki khamoshi ke baad bhagwan bole

Bhagwan:- putra rona band karo haanye sach hai ki tumhare dukhon me ab purn viram
lagne wala hai Baba Vishakht ye sun kar khush ho gaye

Baba Vishakht:- iska matlab Prabhuab mujhe moksh mil jayega main aapke paas aa
sakunga

Bhagwaan:- nahi putraisme abhi samay hai abhi tumhara jeevan chakra khatam nahi hua
hai bohat se kaam karne hai tumhe jo paap tumse hua hai usse sudhaarne ka waqt aane
wala hai

Baba Vishakht:- Prabhumain samjha nahi

Bhagwaan:- putra usse pehle main tumhe kuch dikhana chahta hun fir achanak Baba
Vishakht ke aankhon ke saamne ek roshni hui aur jab hati toh ek chalchitra (drishya)
saamne aaya usse dekhte hi Baba Vishakht chonk gaye kyu ki uss drishya me aur koi nahi
Rishi Vishisht the aur samay bhi tab ka tha jab Rishi Vishisht ne Baba Vishakht ko shraap
diya ha Rishi Vishisht thake se ek jungle me bhatak rahe the vapas apne nagar jane ka
unhe bilkul mann na tha bhatakte bhatakte wo ek ped ke niche baith gaye unhe waqt ka
kuch bhi hosh na tha din mahino me badal gayepar wo aise hi baithe shunye ko ghurte
rahe unke aas paas gandagi jam gayi pairon ke paas miti ke upoley (parat) jam gayi thi par
unhe kisi ki sudh nahi thi itni sidhi praapt karne ke baawjud unhe sab khatam hota dikh
raha tha ye drishya aur lamba chalta ki achanak Rishi Vishisht ke saamne ek roshni prakat
hui roshni itni tez thi ki Rishi Vishisht ko aankh band karni padi aur jab roshni kam hui toh
unke saamne swayam param pita parmeshwar khade the Rishi Vishisht turant unke pairon
me gir gaye aur rone lage

Rishi Vishisht:- Prabhu mujhse kya galti hui jo mujhe ye saza mili meri putri ko iss sansar
ne mujhse chin liya aur aap ne kuch na kiya kya mujhse kuch paap hua tha bhagwan
bataiye Prabhu bataiye

Bhagwaan:- uthi ye Rishi Vishisht aap toh itne kamzor naa the aapko pata hai ki niyati se
koi nahi bach sakta apki putri ka jeevan chakra yahi tak tha

Rishi Vishisht:- Prabhu mujhe bhi ab nahi jeena main bhi apni putri ke paas jana chahta
hun

Bhagwaan:- putra shant ho jao abhi tumhara karya purn nahi hua aur apni putri ka shok
na manao main tumhe yahi batane aaya hun ki tumhari putri ka kalyug me punar janm
hoga usse wo saari khushiyan milegi jo tum usse iss janam me dena chahte the aur ek
baattumhari putri ka vivah mere hi ansh se hoga wo uski shakti banegi Rishi Vishista apni
putri ke punar janm ki baat sun shant ho gaye aur jab unhone suna ji unki putri ka vivah
swayam bhagwan ke ansh se hoga toh wo ati prassann ho gaye

Rishi Vishisht:- dhanyavad Prabhu aapka koti koti dhanyavad aapne meri putri ko iss layak
samjha ab mere liye kya aagya hai Prabhu?

Bhagwan:- putra ab tum issi jungle ke dakhshin bhag ke madhya me jo gufa hai waha jao
aur dhayan me baitho kalyug me mera ansh aayega aur tumhe dhayan se mukt karega
tumhe tab pata chal jayega ki tumhe kya karna hai

Rishi Vishisht:- Prabhu kya main apni putri ko tab tak nahi mil paunga?

Bhagwan:- mil paoge par sirf swapno me Jo gyan usse iss janm me prapt hua tha wahi
gyan uss janam me bhi milega tum uski madad karoge

Rishi Vishisht:- jo aagnya Prabhu Issi ke saath bhagwan antardhayan ho gaye aur Rishi
Vishisht uss gufa me jaa dhayan me baith gaye gufa ke bahar achanak ek bada sa pathar
prakat hua aur gufa band ho gayi Issi ke saath drishya band ho gaya Rishi Vishisht ki aisi
halat dekh Baba Vishakht ko punah dukh hua

Bhagwan:- putra jo hua usse badla toh nahi jaa saktapar haansudhara avashya jaa sakta
hai

Baba Vishakht:- kripya aap mera margdarshan kare


Bhagwan:- issliye humne tumhe yaha bulaya hai tum abhi jis bache ka naam karan karne
aaye ho wo hi mera ansh hai iss dharti par ek bohat hi bada sankat aane wala hai mera
ansh iss dharti ka udhharkarta hoga aage chalkar tumhe iska uchit margdarshan karna hai
jo galtiyan tumse huitakat ke ghamand me jo kadam tumne uthayeusse tumhe isse dur
rakhna hai iss balak me asim shaktiyan hongi par sahi samay aane tak unka bahar aana
thek nahi hoga shaitan ko iss shakti ka aabhas ho chuka hai usne isse dhundne ka aadesh
"Ghetto sofar" (ye Shaitan ka khass devil hai isme kisiko chu ke hi uski shakti chusne ki
power hai iske alawa ye fire ko aaram se control bhi kar sakta hai garmi ka ispe koi asar
nahi hota ye kisiko bhi mehsus kar dhund leta hai aage jaake kahani me iski ladai hai
hamare hero ke saath) ko diya hai main tumhe ek mantra deta hun "Agrasam guptam
shakti nirotapam" iss mantra se uss baalak ki shakti ka shrot usse bahar nikal tumhare
paas aa jayega aur koi bhi iss balak ko dhund nahi payega par jo shakti bahar aayegi usse
tum bardasht nahi kar sakte issliye ye Mani rakho Mani ko bahar nikalte hi samay chakra
rook jayega mantra padhne se pehle iss Mani ko uske mastishk ke upar rakh dena uski
shakti nikal kar iss mani me sama jayegi mani pe haath rakh tum fir ye mantra kehna
"Shakti kunjam swayam prajotanam" Mani apne aap ek surakshit sthaan pahunch jayegi

Baba Vishakht:- jo aagyan Prabhu

Bhagwan:- tumhare jane ka waqt ho gaya issi ke saath phir ek roshni hui aur Baba Vishakht
ka dhayan toot gaya unhone turant aankhen kholi unhone dekha sabhi unhe ajeeb tarike
se dekh rahe hain kamla bhi chakit si unhe dekh rahi thi Baba kuch naa bole aur aage badh
gaye kamla aage aage chal rahi thi gate par hi Jairaj aur Minu khade the bhale hi dono
chamatkar wagairaah me nahi maante the par atithi satkar unke vyavahar me tha Baba
ka unhone uchit swagat kiya dono ne Baba ke pair chue Baba ne Minu ko sada
soubhagyavati bhav ka ashirwaad diya aur Jairaj ko aaushmaan bhava ka dono ne Baba
ko andar aane ka aagrah kiya Baba fir muskurate bhagwan ka naap japte andar aa gaye
wo ati adhir the uss navjaat shishu ko dekhne ke liye par mukh unka samanya hi raha sab
andar aa gaye bacha hall me hi ek bade se palne me leta haath pair chala raha tha Baba
sidhe ussi paalne ke paas gaye bache ko dekhte hi Baba kho se gaye ek tej ek akarshan
tha bacche k mukh peshaktiyon ka samandar bache ke andar se nikalta hua abhas hua
Baba ko ye abhas aam insan mehsoos nahi kar sakta tha par Baba pehchaan gaye wo
samjh gaye shaitan ko bhi yahi aabhas hua hoga issliye wo satark ho gaya hai

Baba Vishakht:- kya main isse godh me utha sakta hun


Jairaj:- ji Baba bilkul utha sakte hain Baba ne haath aage kar bacha godh me liya aur uske
baayen pair jisme 6 ungliyan thi usse apne maathe se laga diya sab ye dekh chonk gaye
pair ke maathe se chhute hi shraap toot gaya Baba ko unka gyan unki shakti wapas mil
gayi ye sab ek second me hi ho gaya Baba ne fir pair hataya aur Jairaj se mukhatib hue
aapne mujhe iske naam karan ke liye bulaya hai Baba ke awaaz ki daivikta punah lout aayi
thi Jairaj toh Baba ke awaaz me hi kho gaye yahi hall Minu aur kamla ka bhi tha fir Baba
ke dobara puchne par sab hosh me aaye

Jairaj:- ji Baba ji issliye hi bulaya hai

Baba Vishakht:- par aapko toh jyotish vidhya me vishwas nahi naa hi apki patni ko fir kyu?
Jairaj ye sun chonk gaye aur kamla ki taraf dekhne lage unhe laga shayad kamla ne hi Baba
ko bataya hai

Baba Vishakht:- kamla ne mujhe kuch nahi bataya hai

Jairaj:- fir Baba aapko kaise pata?

Baba Vishakht:- shayad hi aisa kuch ho Jairaj jise main anjan hun mujhe ye bhi pata hai ki
tum anath ho tumhari biwi ka maika Dhawalgarh (imaginary) se hai aur uske gharwale ab
tum dono se koi rishta nahi rakhte Minu aur Jairaj dono Baba ke baaton se chonk gaye

Baba Vishakht:- ye mat puchna ki mujhe ye sab kaise pata samay aane par batadunga par
pehle jis karya se aaya hun wo karlun kya koi baithne ki jagah hai

Minu:- arre haanmain bhi naa abhi tak aap khade hi hain aaiye humne hall ke dusre taraf
baithne ka sab intazam kiya hai fir sab uss ore hi chal diye baithne ke baad Baba ne ek
baar sabki aur dekha Baba ki shaktiyan ab lout aayin thi unhe sab nazar aa raha tha unhe
pata chal gaya ki Minu aur Jairaj dono hi iss anokhe baalak ke palanposhan aur uchit
sanskar dene k liye ekdum sahi hain Baba ne bache ko ek baar fir godh me liya aur fir bolna
shuru kiya

Baba Vishakht:- iss bache ki lalaat ki rekhayen bata rahi hain ki ye bacha ati parakra
mehnati avum bohat buddhiman hoga apne umar ke bacho se ye zyada paripakv hoga
aisa nahi hai ki ye haarega nahi yaa hamesha awall hi aayega par har haar se ye aur
sashakth hoga isilye iska naam hoga Vikram apne bache ka naam aur gun sun kar Minu
aur Jairaj khush ho gaye

Baba Vishakht:- iss balak ki wajah se aapki taqdir me bhi badlaaw aayega apka har sapna
sakaar hoga isse apko kabhi hausla dene ki awashyakta nahi hogi ye khud se hi khud ko
thek kar lega ye bas aap dono ke saamne hi chanchal hoga baki duniye ke liye bohat shant
hoga waise toh isse krodh asani se nahi aayega par jab aayega toh koi isse rok nahi payega
par chinta mat karna ye ache ke saath bura kabhi nahi karega iske krodh ka fal bhi acha hi
hoga iske baayen paon me 6 ungliyan hain isse kabhi alag mat karaiyega iske aatmvishwas
ka shrot hongen ye ek din iska naam sara jag me jana jayega itna bol Baba Vishakht shaant
ho gaye

Jairaj:- Baba aur kuch bataiye naa mere bache ke bare me ab kis baap ko apne bache ki
taarif nahi sunani Jairaj bhi koi alag toh the nahi Baba Vishakht bhi Jairaj ke iss bhavana
se anbhigya na the wo bas muskura diye kehte bhi toh kya ki unka putra swayam param
pita parmeshwar ka ansh hai uske andar divya shakti hai uska janm kisi khaas maksad se
hua hai

Baba Vishakht:- abhi main kewal itna hi bata sakta hun par meri mulakat aapse phir hogi
jab bhi kabhi apke upar koi taklif aayegi main zaroor aaunga

Minu:- taklif? Baba kaisi taklif?

Baba Vishakht:- ghabrao mat putri sab mangal hi ho hoga ye keh Baba ne apna haath apne
jhole me dala aur haath jab bahar aya toh samay rook gaya Baba ke haath me mani thi
Baba ne wo mani Vikram ke mashtishk ke upar rakh di aur ankh band mantr ucharan karne
lage "Agrasam guptam shakti nirotapam" dheere dheere Vikram ki body roshni se bharne
lagi roshni itni badh gayi ki Baba Vishakht ki aankhen band hone par bhi ankhon me
chubhne lagi fir dheere dheere roshni kam hui fir bhi prakash kafi zyada tha Baba ne
dheere se aankh khola toh dekha mani lal rang se chamak rahi thi Baba ne maani uthane
ki kosish ki par utha na sake mani ke upar haath rakh wo fir mantra doharane lage "Shakti
kunjam swayam prajotanam" mani gayab ho gayi aur kaha pahunchi ye baad me pata
chalega mani ke gayab hote hi samay chakr fir se shuru ho gaya

Baba Vishakht:- chaliye ab mujhe aagya dijiye main chalta hun

Jairaj:- Baba apki dakhshina

Baba Vishakht:- main iske liye yaha nahi aaya mujhe kuch nahi chahiye waise bhi hamari
fir mulakat avashya hogi

Minu:- Baba kuch toh lijiye aise khali haath na jaiye

Baba Vishakht:- mujhe jo chahiye tha mil chuka hai par ek baat kehna chahunga har Baba
dhongi nahi hota Baba ki baat sun Jairaj aur Minu chonk gaye chonk toh wo pehle hi gaye
the jab Baba ne kaha ki mujhe jo chahiye tha wo mil chuka hai unka sir sharm se neeche
ho gaya Baba muskura kar bole

Baba Vishakht:- Arre arre isme sharm aane ki koi baat nahi ye kalyug hai yaha sahi se
zyada dhongi Baba hi ghumte hain aisa sochna kuch galat nahi hai bas itna dhayan dijiye
ki apni baat kisi pe kehne se pehle ek baar pushthi kar lijiye acha ab chalta hon fir milenge
ye keh Baba jaise aaye the waise chale gaye Minu aur Jairaj aankon me tbodi sharmindagi
thodi khushi thode sawal liye khade reh gaye

Dusri ore Earth se carodo mile door ek andhere grah "Monslickel"

(Yaha surya ki roshni nahi aati thi ) me ek 100 feet lamba Shaitan baitha hua tha sar se
paon tak kaale kapde par badan gora aankh bhatti si tapti laal chehre par ek ajeeb si
khamoshi uska naam Asmodeus Devil's king creature of Judgement

Monslickel Asmodeus ka grah

ek khatarnaak jagahjo khud Asmodeus ne banayi hai iss pure grah me sirf ek mahal bas
hai par ye mahal koi aam mahal nahi hai chaar se paanch sheher jam jaye itna bada mahal
hai ye isike andar saare devils rehte hain iss grah me koi ped poudhe pani wagehra kuch
bhi nahi hai sirf chattan hain aur bade bade sukhe maidan yaha kabhi din nahi hota kyu ki
yaha pe koi surya nahi hai yaha par ujaala sirf aag ki wajah se hota hai ye pura grah lava
ke upar bana hai fir bhi ek ajeeb baat hai wo ye ki yaha ka mousam behad thanda hai pure
saal yaha barf girti hai aur iska kaaran hai Asmodeus chaliye zara hamare kahani ke villain
ke bare me jante hai actually ye villain toh hai shaktishali bhi hai par gyani bhi bohat hai
shaitan sunkar lagta hai jaise khatarnaak dikhta hoga par aisa hai nahi ulta ye itna
handsome hai ki hollywood actors bhi sharma jayen gora akarshak chehra ripped body
chehre me surya sa tej bas aankon ki putliyan puri safed kab kya soch le koi nahi janta aur
sabse ajeeb baatshaitan ke soch ke bilkul ulatye bilkul shaant dimag ka hai jaisa ki maine
kaha ki Monslickel ka mausam hamesha thanda hi rehta hai ye Asmodeus ki aankhon ka
kamal hai jab tak iski aankon ki putliyan safed hain tab tak mausam thanda hi rahate hai
iski aankhon ka ek aur colour hai laal aur issliye pura Monslickel lava ke upar basa hai wo
lava iski aankhon ka hi prateek hai jab bhi Asmodeus ko gussa aata hai tab uski aankhon
ki putliyon ka rang badal kar laal ho jata hai par najane kitni sadiyan beet gayi Asmodeus
ko gussa hueaur issliye mausam me bhi hamesha thandak bani rahti h Asmodeus ki soch
bhagwan se ulti zaroor hai par tez bhi bohat hai ye baat swayam bhagwan bhi jante hain
wo chaah kar bhi Asmodeus ko nahi maar sakte hainkyu ki Asmodeus bhagwan ka shakti
punj hai devil banane se pehle wo lord the God ka sabse takatwar angel tha duniya ki har
cheez pe judgement dene ka haq ishwar ne usse diya tha par kuch galat faislon ki wajah
se usse heaven se nikal diya gaya (reason aage story me pata chalega) par wo God se
naraz nahi hua usne ye thaan li ki jis duniya ke liye God ne usse khud se alag kiya hai usse
wo barbaad kar dega uski aisi haalat kar dega ki khud God duniya se krodhit ho usse
khatam kar denge bohat soch samjh kar wo apni chaal chalta raha aur dekhte hi dekhte
usne apne demons gulamo ki madat se insan ke mann main laalachhawas matlabparasti
iss kadar badha di ki ab duniya paap ke charam pe thi issi burai se Asmodeus aur
shaktishali ho gayakyu ki ab wo ek shaitan tha uski shakti ka shrot burai thi jo ab din
doguni raat chouguni raftaar se badh rahi thi isilye bhagwan ko apna ansh dharti par
bhejna pada Asmodeus ke paas alag alag devils ki fouj thi jinka wo bakhubhi se istemal
karta tha Asmodeus ke mahal me darbaar naam matra ki hi thi waha koi sabha nahi lagti
thi uss jagah par Asmodeus bas dhayan aur swayam mantrana karta tha chaliye ab chalte
hai aagearre arre ek min aage nahi thoda peeche uss raat ki taraf jis raat hamara hero
paida hua tha jab hamara hero dharti par paida hone wala tha uss waqt Asmodeus
Monslickel me apne mahal ke Singhasan me aankh band kar dhayan mudra me baitha hua
tha udhar jaise hi hamara hero paida huaidhar Asmodeus ki aankhen khul gayin jis grah
me surya na tha uska prakash na tha uss grah me achanak roshni fail gayi jitne devils bahar
ghoom rahe the sab roshni ke padhte hi behosh ho gaye aur jo devils mahal ke andar the
unke pair bhi dagmaga gaye aur wo sab gir gaye sab achambhe me the ki ye kya hua?
dheere dheere roshni kam hui aur fir khatam ho gayi jahan ek aur mahal ke andar saare
devils shock me the wahiAsmodeus arre ye kya inki aankhen normal hi thi bas ab khul
chuki thi aur hothon pe muskan

Asmodeus:- akhir khel shuru ho gaya dheere se Asmodeus apne Singhaasan se khade ho
gaye aankh band ki aur ek mantra bole "murchit vishwam punarjate" aur jitne bhi devils
behosh the sab wapas hosh me aa gaye fir usne Ghetto Sofar naam ke ke devil ko yaad
kiya Ghetto Sofar turant prakat hua

Ghetto Sofar:- haai hail devil lord (jai ho) aur Ghetto Sofar apne kadmo me jhuk gaya

Asmodeus:- utho Ghetto Sofar jo roshni abhi huitumne bhi mehsoos ki hogi

Ghetto Sofar:- ji mahamahiim par mujhe kuch samjh nahi aaya

Asmodeus:- tumhe samjhne ki zaroorat bhi nahi hai Ghetto Sofar Asmodeus ki kathor
awaaz sunkar saham gaya

Asmodeus:- tumhe abhi dhartilok me jana hoga waha pohunch tum ye mantra dohrana
"agyat shaktim rupeh aagaman" tum uss jagah pohonch jaoge jahan tumhe jana hai jis
jahan ye mantra tumhe pohonchayega waha tumhe ek naVjaat shisu milega tumhe usse
maarna hai dhayan raheye kaam jitna aasaan lag raha haiutna hai nahi

Ghetto Sofar:- aapne jaisa kaha hai waise hi hoga my lord ye bol Ghetto Sofar Prithvi ke
liye nikal gaya

Asmodeus:- maine aapni chaal chal di my "lord" ab aapki baari

Dusri taraf param Pita parmeshwar ye sab dekh rahe the jaise hi Ghetto Sofar Prithvi ki
taraf nikla unhone apne ek angel ko bulaya aur usse kuch nirdesh dekar bhej diya

Dusri taraf Ghetto Sofar light speed se dharti ki aur ud raha tha achanak uske saamne ek
door open ho gaya Ghetto Sofar ki speed bohat tez thi wo khudko uss door ke andar jane
se nahi rok paya Ghetto Sofar ke door ke andar ghuste hi door band ho gaya aur ab wo
bramhhand ke dusre chhor me tha jitni duri uski Prithvi se bach gayi thi ab wo usse 10
guna aur dur ho chuka tha Ghetto Sofar ruk gaya uske saamne iss waqt wahi God ka angel
tha Ghetto Sofar apne raste me baadha dekh krodhit ho gaya aur usne angel ke upar ek
fire ball fenki fire ball angel ke paas akar ruk gayi aur nasht ho gayi Ghetto Sofar aur
krodhit ho gaya

Dusri taraf ye sab dhayan me baitha Asmodeus bhi dekh raha tha par phir bhi uska mukh
shaant tha jaise wo koi film dekh raha ho idhar Ghetto Sofar apna war khali jata dekh
aswet baan ka mantra padhne laga (is baan se kisiko bhi bandha jaa sakta hai)par usse
pehle hi angel apni jagah chhod deta hai aur Ghetto Sofar ke peeche pahunch jata hai
angel apna haath aage kar Ghetto Sofar ke sir par rakh deta hai aur budbudata hai bhram
drishyanam Ghetto Sofar punah light speed se udne lag jata hai hua ye ki mantra jaise hi
Ghetto Sofar ke mastishk ke andar gaya Ghetto Sofar ab tak ka ghatith sab bhul gaya angel
uski ladhai sab kuch usse bas apne maalik Asmodeus ka hukm yaad tha wo turant Prithvi
ki taraf ud gaya par ab wo galat raaste jaa raha tha mantra ke prabhav me ab usse Prithvi
kahi aur dikhne lagi iss mantra me bhram paida karne ki taqat thi

Idhar Asmodeus ne jab dekha ki angel ne Ghetto Sofar ko jane diya toh wo soch me padh
gaya jaise hi angel ka kaam khatam hua usne lautna chaha par ye kya wo na hil pa raha
tha na gayab ho paa raha tha usse aisa lag raha tha jaise kisine usse baandh diya ho aur
fir uske saamne roshni hui aur jab roshni hati aur jo uske saamne khada tha usse dekhkar
angel sehem saa gaya kyu ki uske saamne aur koi nahi "the Asmodeus" khada tha

Asmodeus:- daro mat angel tumhe ye shobha nahi deta tum God ka wo hissa ho jo kabhi
main tha main tumhe marunga nahi na hi kuch karunga chahun toh tumhare sir par haath
rakh sab pata kar sakta hun ki tumne mere gulam ke saath kya kiya par nahi aise maza
nahi aayega tum itne bade nahi hue ki khud Asmodeus tumhare upar shakti pradarsham
kare jao tumhe mukt kiya aur Asmodeus ke aisa bolte hi wo angel mukt ho gaya wo ek pal
bhi naa ruka aur antardhayan ho God ke paas chala gaya

Asmodeus:- kaash aap meri baat maan jaate God insaan aapke pyar ke kabil nahi chaliye
dekhte hai aapke chaal ka asar aur Asmodeus antar dhayan ho apne mahal lout gaya

Idhar Ghetto Sofar Prithvi ka rasta samjh kahi aur hi ud raha tha mahal me baitha
Asmodeus ye dekh raha tha aur soch raha tha ki angel ne Ghetto Sofar k sir par haath rakh
kya kaha hoga aur jaise achanak usse samjh aa gaya ki God ne kya chaal chali hai usne
aankh band kar ghetto ko smaran kiya aur kaha bhram muktamaur Ghetto Sofar ka bhram
toot gaya wo wahi ruk gaya usse sab smaran aa gaya aur wo Prithvi ki taraf mud udne laga

Asmodeus:- achi chaal thi God par ye mujhe rokne ke liye kafi nahi par ye chaal kafi thi
kyu ki Ghetto Sofar ke Prithvi me pair rakhte rakhte 3 din nikal gaye aur jab wo balak ke
paas pahunchne wali mantra padhne wala tha ussi waqt Baba Vishakht bache ki shakti
mani me daal mani kisi surakshit sthaan me bhej chuke the

Idhar Asmodeus ko achanak bache ki shakti mehsoos honi band ho gayi usse samjh nahi
aaya ki aisa kyu hua usne aankh band kar mantra bola "shakti kunjam khoj aarambhate
ek roshni ka gola nikla aur dharti ki aur nikal gaya kuch pal me hi wo gola Prithvi me
pravesh kar gaya aur chappa chappa khoj dala par mila usse kuch nahi wo roshni ka gola
punah Asmodeus ke pairon me aa nasht ho gaya

Idhar Ghetto Sofar ne mantra padha agyat shaktim rupeh aagaman par ye kya wo wapas
Asmodeus ke saamne tha hua yun ki jab Asmodeus uss shakti ke shrot ka pata nahi laga
paye toh unhone Ghetto Sofar ko wapas bula liya ussi waqt Ghetto Sofar wo mantra bol
raha tha apne saamne Asmodeus ko dekh wo ghabra gaya usse laga usne kuch galti kar di
par Asmodeus ne usse kuch nahi bola aur jane ke liye haath se ishara kar diya Ghetto Sofar
sar neeche kar dheere dheere nikal gaya Asmodeus ki aankhen ek pal ke liye laal ho gayi
pura grah hil gaya lava fut kar upar aane lage barf girni ruk gayi mausam me garmahat aa
gayi par fir Asmodeus ki ankhen safed ho gayi aur sabkuch pehle jaisa ho gaya

Asmodeus:- pehli jeet mubarak ho God

Monslickel Asmodeus ka grah ek khatarnaak jagah jo khud Asmodeus ne banayi hai iss
pure grah me sirf ek mahal bas hai par ye mahal koi aam mahal nahi hai chaar se paanch
sheher jam jaye itna bada mahal hai ye isike andar saare devils rehte hain iss grah me koi
ped poudhe pani wagehra kuch bhi nahi hai sirf chattan hain aur bade bade sukhe maidan
yaha kabhi din nahi hota kyu ki yaha pe koi surya nahi hai yaha par ujaala sirf aag ki wajah
se hota hai ye pura grah lava ke upar bana hai fir bhi ek ajeeb baat hai wo ye ki yaha ka
mousam behad thanda hai pure saal yaha barf girti hai aur iska kaaran hai Asmodeus
chaliye zara hamare kahani ke villain ke bare me jante hai actually ye villain toh
haishaktishali bhi hai par gyani bhi bohat hai shaitan sunkar lagta hai jaise khatarnaak
dikhta hoga par aisa hai nahi ulta ye itna handsome hai ki hollywood actors bhi sharma
jayen gora akarshak chehraripped bodychehre me surya sa tejbas aankon ki putiyan puri
safed kab kya soch le koi nahi janta aur sabse ajeeb baatshaitan ke soch ke bilkul ulatye
bilkul shaant dimag ka hai jaisa ki maine kaha ki Monslickel ka mausam hamesha thanda
hi rehta hai ye Asmodeus ki aankhon ka kamal hai jab tak iski aankon ki putliyan safed
hain tab tak mausam thanda hi rahate hai iski aankhon ka ek aur colour hailaal aur issliye
pura Monslickel lava ke upar basa hai wo lava iski aankhon ka hi prateek hai jab bhi
Asmodeus ko gussa aata hai tab uski aankhon ki putliyon ka rang badal kar laal ho jata hai
par najane kitni sadiyan beet gayi Asmodeus ko gussa hueaur issliye mausam me bhi
hamesha thandak bani rahti h Asmodeus ki soch bhagwan se ulti zaroor hai par tez bhi
bohat hai ye baat swayam bhagwan bhi jante hain wo chaah kar bhi Asmodeus ko nahi
maar sakte hainkyu ki Asmodeus bhagwan ka shakti punj hai devil banane se pehle wo
lord the God ka sabse takatwar angel tha duniya ki har cheez pe judgement dene ka haq
ishwar ne usse diya thapar kuch galat faislon ki wajah se usse heaven se nikal diya gaya
(reason aage story me pata chalega) par wo God se naraz nahi hua usne ye thaan li ki jis
duniya ke liye God ne usse khud se alag kiya hai usse wo barbaad kar dega uski aisi haalat
kar dega ki khud God duniya se krodhit ho usse khatam kar denge bohat soch samjh kar
wo apni chaal chalta raha aur dekhte hi dekhte usne apne demons gulamo ki madat se
insan ke mann main laalachhawas matlabparasti iss kadar badha di ki ab duniya paap ke
charam pe thi issi burai se Asmodeus aur shaktishali ho gayakyu ki ab wo ek shaitan tha
uski shakti ka shrot burai thi jo ab din doguni raat chouguni raftaar se badh rahi thi isilye
bhagwan ko apna ansh dharti par bhejna pada Asmodeus ke paas alag alag devils ki fouj
thi jinka wo bakhubhi se istemal karta tha Asmodeus ke mahal me darbaar naam matra ki
hi thi waha koi sabha nahi lagti thi uss jagah par Asmodeus bas dhayan aur swayam
mantrana karta tha ab tak Asmodeus samjh chuka tha ki iss baar uska saamna kisi badi
shakti se hone wala hai Asmodeus unme se nahi tha jo taakat ke ghamand me khud ko
sarvashaktishaali samjhne ki galti karte hain wo apne dushman ko kabhi kam nahi aankta
tha aur iss baar toh khud bhagwan Asmodeus ke raaste ki deewar ban rahe the Asmodeus
apne darbaar me gehri chintan me baitha hua tha kuch der tak yunhi saari kadiyan jodta
raha aur achanak uske mukh par ek smile aa gayi

Asmodeus:- thek hai param pita mujhe apki chunouti swikar hai ye keh Asmodeus ne
aankh band kar kuch naam liye aur ussi waqt uske saamne for devils sar jhukayee prakat
hue ye devils bhi kabhi angels the par jab God ne Asmodeus ko heaven se nikala toh ye
sab bhi Asmodeus kee saath chale aaye inki soch bhi Asmodeus se alag nahi thi ye uske
sache wafadar the inke naam hain

Devil 1:- Abbadon (ye bhram paida karne me mahir hai ye insan ke dimag ki tarango ko
vash me kar inhe ek dusre ke khilaf bhadkata hai jab ye angel tha tab iska kaam iska ulat
tha tab ye insaano me bhai charapyar failata tha par devil bante hi iski kabiliyat ulat gayi
yahi haal baki sabka bhi tha)

Devil 2:- Abraxas (iska sar bade se murge ke sir jaisa par pair dragon ke jaisa hai isse the
devil of mischief bhi kehte hain ye logon ke dimag me chori loot kidnapping jaise vichar
bharta hai iska koi bhi kaam sidha nahi hota)

Devil 3:- Lilitha (ye ek female devil hai isse devil of lust bhi kaha jata hai ye insaan ke dimag
me hawas bharne ka kaam karti hai)

Devil 4:- Valefor (isse devil of destruction bhi kaha jata hai duniya me jitne wars hote hain
ye kaam issi ka hota hai ye insaan ke dimag ki destruction powers badhata hai naye naye
hathyar banane ke ideas yahi insaan ke dimag me daalta hai) ye hain Asmodeus ke chaar
pramukh hathyar inki wajah se hi Asmodeus ki taqat lagatar badhti hai aur inki taaqat ka
shroth bhi Asmodeus hi hai ek aur devil hai jo in charo se upar hai aur Asmodeus ka bohat
khass hai par abhi uski entry me time hai (back to the story)

Devils:- hai hail Devil King

Asmodeus:- utho mere bacho jo kaam maine tumhe diye tumne puri nishta se usse pura
karte aa rahe ho par ab tumhe apne kaam me aur tezi laani hogi insaano me krurta
madhbhedh hawas kapat iss kadar badha do ki nyaya ke rakhwale angels pareshan ho
jayen ab tak toh duniya me sab kuch barabar balance me chal raha tha burai ke saath
saath kuch achai bhi thi par ab nahi ab achai ka astitv khatam karne ka waqt aa gaya hai
tum sab apne apne kala me nipun ho apni puri taakat jhokon par mujhe kisi bhi keemat
me sansaar se achai ko khatam karna hai

4ro Devil's:- jaisa aap kahe devil's king Asmodeus se sawal karne ki himmat kisi me na thi
par ek devil tha jiske dimag me sawal bunna shuru ho gaye wo tha the God of mischief
Abraxas ab wo tha hi badmash dimag ka devil akhir control nahi kar paya toh puch hi
baitha

Abraxas:- devils king achanak ye sab kya koi pareshani ho gayi hai? uska puchna khatam
hi hua tha aur agle hi pal Abraxas ki cheekh pure darbar me gunj uthi usse ek aag ke
zanjeer ne baandh rakha tha Abraxas dard se chillaye jaa raha tha uski dard bhari awaaz
se baaki teeno devils thar thar kaamp rahe the par saamne Asmodeus ek dum shant khada
tha chehre par koi bhaav nahi kuch der Abraxas ko tadpaane ke baad Asmodeus ne haath
upar kiya aur zanjeer gayab ho gayi Abraxas khada nahi reh paya aur zameen pe gir gaya
Asmodeus ne ghur ke Abraxas ki taraf dekha Abraxas kheenchta hua Asmodeus ke pairon
ke paas pada tha Asmodeus ne usse hawa me utha liya

Asmodeus:- aur koi sawal?

Abraxas:- shama maha mahim maafi Asmodeus ne turant Abraxas ka gala pakda ur dabav
banana shuru kiyajaise jaise dabav badh raha tha Abraxas ka chehra kaala padhta jaa raha
tha kuch der baad Asmodeus ne dabav kuch kam kiya

Asmodeus:- maafi is shabd se mujhe sakht nafrat hai dubara iska istemal mere saamne
mat karna ye bol Asmodeus ne Abraxas ko baaki teeno ke taraf fenka aur dusre haath se
chutki bajai Abraxas udta hua teeno se takraya aur charon gayab ho apne apne jagah
pahunch gaye

Dusri taraf Prithvi me bache ka naam karan ho chuka tha Baba Vishakht apni raah nikal
chuke the Baba ko gate tak chhod Jairaj Minu aur kamla andar hall me aa gaye baaki aas
paas ke log apne apne ghar jaa chuke the baaki noukar bhi apne apne kaam me lag gaye
the

Kamla:- dekha malik dekha maalkin maine kaha tha naa ki chote maalik sadharan nahi

Jairaj:- mera bacha sadharan hai ya asadharanye sab baad me pata chalega mera bacha
ek acha insaan nikle meri toh bus upar wale se yahi dua hai

Minu:- haan sahi kaha aur Baba ne hamaree bache ka naam kitna acha rakha hai Vikram
haina

Jairaj:- haan ye toh hai

Kamla:- malik/malkin dekhna chote maalik apne naam ke jaise hi mahaveer honge
Minu:- tere mouh me ghee shakkar kamla Jairaj hans diye kamla ghar ka kaam sambhalne
lagi Jairaj ne Minu ko rest karne ko kaha aur khud bhi bache ko Godh me lekar Minu ke
saath bedroom me chal diye bedroom pahunch Minu bed par let gayi Jairaj Vikram ko
Godh me pakad wahi Minu ke paas baith gate aur bache ke saath khelne lage Vikram bhi
apne papa ko tukur tukur dekh raha tha jaise apne pitah ko pehchaan gaya ho Minu bhi
dono baap bete ko muskurati hui dekh rahi thi

Minu:- suniye ji kuch mahino se aap kuch pareshan se lag rahe hain kya baat hai?

Jairaj:- kuch bhi toh nahi tumhe aisa kyu laga?

Minu:- dekhiye aapko bhi pata hai aap mujhse jhoot nahi bol sakte main aapki khamoshi
tak ko pehchaan sakti hun toh aap baat ko taliye mat main janti hun meri pregnancy ki
wajah se aapne mujhse kuch nahi kaha ki kahi main pareshan na ho jaun aur maine bhi
delivery tak aapse kuch nahi pucha par ab toh sab thek hai naa ab toh aap bata sakte hain

Jairaj:- lambi saans chhodte hue haan Minu pareshani toh hai kuch do mahino se
majdooron me aur mere staff me anban chal rahi hai majdooron ka union leader Mangal
bonus ki demand kar raha hain abhi bridge aadhi bhi nahi bani hai jo payment ki quotation
hamne government ko bheji thi wo bhi abhi tak sanction nahi hui hai usme ye bonus ki
demand upar se ye Mangal kaam chor bhi hai jab dekho sharab ke nashe me hi rehta hai
supervisor ko bhi do teen baar dhamka chuka hai jab maine usse baat ki toh mujhe kaam
rukwane ki dhamki de di samjh nahi aa raha hai ki kya karun

Minu:- jai chinta karne se kya iska solution nikal jayega aapke job me aise problems toh
aayenge hi naa abhi aapki umr bhi kam hai wo aapko naya samjhkar halke me le raha hai
aap thodi sakhti bartiye dekhna sab thek ho jayega

Jairaj:- tumhe kya lagta hai maine ye socha nahi hoga par wo Mangal thodi ulti khopdi ka
hai agar main akela hota toh kab ka usse sabak sikha chuka hota ya nikal diya hota par
darta hun mere kuch karne se wo tumhe koi nuksaan na pahuncha de aur ab yoh humara
bacha bhi hai issliye ruk jata hun

Minu:- main kabse aapki kamzori ban gayi aap toh mujhe apni taakat kehte the naa aur
rahi hamare bache ki baat toh yaad hai naa Baba ji ne kya kaha tha ki hamara bacha bohat
lucky hai hamare sabhi sapne pure honge issliye keh rahin hun aap hamari fikr chhodiye
aur tention free hojaiye aur pehle jaise confident hokar faisle lijiye

Jairaj:- as u say my queen acha main zara hall me baith kar kuch paper work nipta leta hun
tum bache ko doodh pila do aur rest karo fir apne bache aur biwi ke maathe ko chum
Jairaj room se nikal gaye phir kuch khaas na hua aur ye din bhi nikal gaya agle din subah
6 baje Jairaj uth jogging pe nikal gaye (jogging exercise Jairaj aur Minu ko daily routine tha
body ko fit rakhne me dono ki khaas ruchi thi par Minu ke pregnent hone ke baad se Jairaj
akele hi subah uth jogging pe jane lage hain Minu ghar me bas kuch yog aasan hi karti hai)
Jairaj ke ghar ke paas hi ek maidan hai toh wo wahi kuch der jogging aur exercise kar 7
baje tak ghar wapas lout aate hain ab tak Minu bhi uth chuki thi ghar ke noukar bhi apne
apne kaam par lag chuke the Jairaj sidhe apne bedroom me gaye Minu bathroom me thi
Jairaj apne bache ko dekhne uske paalne ke paas chale jaate hain Vikram abhi soya hua
tha Jairaj apne bache ke chehre ki sundarta uske masumiyat me kho jaate hain unka
dhayan Minu ki awaaz se tutatha hai

Minu:- kya hua jai? mere bache ko itne dhayan se dekh rahe ho

Jairaj:- mera nahi hamara aur kyu na dekhunhamara bacha hai hi itna khoobsurat

Minu:- haan ye toh sach hai kabhi kabhi toh lagta hai kahi mere bache ko meri nazar hi na
lag jaye

Jairaj:- arre yaar tum bhi gulab ko kabhi gulab se khatra hota hai bhala

Minu:- jao ji bade aaye gulab wale jab se hospital se wapas aayi hun thek se saath baithe
tak nahi aur ab jhuti taarif kar rahe ho

Jairaj:- ae khuda sun raha hai tu kaise kaise jhutte ilzam lag rahe hai mujhpe ab main karun
bhi toh kya meri ek louti biwi meri gulbadan meri janejahan meri nazare noor ko hi mere
mohobat pe shak ho raha hai (Jairaj Minu se aise hi ek dilfek ashiq ki tarah baat kiya karte
hain Minu ko bhi Jairaj ka ye tarika bohat pasand hai) Jairaj ke iss tarah baat karne se Minu
ke chehre par ek pyari si muskurahat aa gayi

Jairaj:- arre bas bas ye muskurane ke teer naa chalao abhi mujhe kaam pe bhi jana hai
kahi ghayal ho gaya toh ghar baithna pad jayega

Minu:- haan toh ho jao ghayal abhi bache ko paida hue 3 din nahi hua aur aap kaam pe
jane ki baat kar rahe ho hundekh liya aaka pyar

Jairaj:- arre meri jaan kal tumne hi toh kaha tha ki main darun naa strong ban ke faisle
lunbas ussi ke liye jaa raha hun zyada wakt nahi lagegabas mazdooron se aur unke uss
leader Mangal se kuch baatein clear kar lun phir aata hun (ye baat bolte waqt ek ghussa
ek confidence tha Jairaj ke chehre pe jise dekh Minu ko khushi hui ki ab Jairaj tention free
hoga ye hai aur pehle jaise confient bhi)
Minu:- thek hai jao par jaldi aajana

Jairaj:- jaisa aap kahe my love ab main zara naha leta hunaur ye kamla kidhar hai pehle
usse nashta banane ke liye bol deta hun

Minu:- aap jaiye main bol dungi

Jairaj:- bilkul nahi Dr ne tumhe rest karne ko bola haitoh tum kahi nahi jaogi main bol
dunga tum rest karo Minu ne bohat kaha par Jairaj nahi maane aur Minu ko pakad unhe
bed me baitha diya ussi waqt kamla room me chaaye ki tray lekar aayi

Minu:- lo kamla bhi aa gayi kamla tum chaye rakh do main bana lungi tum jaakar sahab
ka naashta banao banane ke baad nashta yahi le aana

Kamla:- ji malkin

Minu:- aap pehle chaaye pee lijiye phir naha lijiye ga tab tak naashta bhi ban jayega phir
Minu chaye bana do cup me daali Jairaj chaaye pee bathroom me ghus gaye bathroom se
nikal formal kapde pehen tayar ho gaye tabhi darwaza knock hua

Jairaj:- come in kamla andar aayi uske haathon me naashte ki tray thi

Minu:- kamla nashta idhar bed pe hi laga de kamla wahi bed par hi naashta laga chali gayi
phir kuch khaas nahi hua Jairaj aur Minu ne saath naashta kiya fir Jairaj Minu aur bache
ke maathe pe kiss kar apni car se kaam pe nikal gaye

Wahi dusri taraf Abraxas ke baaki teeno devilon se takrate hi charon devil gayab ho sidha
dharti me jungal ke ek gufa me pahunche ye charon devil kabhi kisi insan ke saamne sidhe
nahi aate the bas inki nakaratmak urja aur shakti insanon me pahunchaati thi inhe jab bhi
milna hota ye issi gufa me milte the ye gufa Vakazula desh (imaginary) ke Okzim naam ke
ek chote se town se 100 km door stith ek vishal jungle ke beech thi ye jungle itna ghana
tha ki yaha surya ki roshni tak nahi pahunchti thi fir insaan ka pahunchna toh lagbhag naa
mumkin tha iss jungle ka naam secrilla tha iss jungle ko ye naam secret (raaz) shabd se
mila tha iska kaaran tha ki ye jungle najane kitne hi raaz khud me samete hue tha kya kya
bhai ye bhi ek raaz hai aage chalkar aapko pata chalega toh chalo filhal kahani me vapas
chalte hain gufa ke andar teen devil khade hue the aur choutha niche baitha ya ye kahe
niche pada hua apni saanson ko durust kar tha waise toh devils ko jeene ke liye saans lene
ki zaroorat nahi padti par jab gala Asmodeus ne dabaya ho toh saans kya khoon bhi ek
jagah ruk jata hai Abraxas ka bhi yahi haal tha kuch waqt laga fir wo thek ho khada hua
Lilitha:- Abraxas tumhara dimag kharab ho gaya kya jo tum lord Asmodeus se sawal karne
lage

Valefor:- aur nahi toh kya tumhare chakkar me hum sab ki jaan bhi chali jati aur tum jante
hona jab ek devil marta hai toh kya hota hai insan ki mout ke baad ya yoh heaven ya hell
jata hai ya fir reincarnated (punarjeevit) ho kahia kahi fir paida hota hai par hum devils ke
mout ke baad hamara pura astitva hi khatam ho jata hai fir bhi tum

Abbadon:- bas karon tum dono Abraxas ko uski galti ka ahsaas hai

Abraxas:- haan doston main fir aisa kuch kabhi nahi karunga pata nahi tab kaisi ek jigyasa
si hui aur main mahamahiim se sawal puch baitha

Abbadon:- jo hua usse ek seekh ki tarah lo aur ab chalo sab mahamahim ne jo kaam
soumpa hai usme lag jaate hai sabne haami bhari aur gayab ho apne apne kaam ko anjaam
dene nikal pade Abbadon pahuncha weslandia dharti ki sabse badi country jitna bada
desh utna hi strict kanoon Abbadon janta tha ki agar itne strict desh me wo arajakta faila
de toh dusre deshon me bhi inki dekha dekhi yahi hoga Abbadon ek political council
meeting me pahuncha jahan bohat se mulkon ke babe bade representatives aaye hue the
aaj tak kisine devils ko dekha nahi tha devils adrishya hokar hi apna kaam karte the
Abbadon ne weslenia ke representative ko hi pakda uske paas jaake Abbadon ne ek
mantra bola "taswarya viraachare bhignachhate "aur iske saath hi weslenia ke
representative ka dimag ghum gaya jis shanti prastav ke liye usne sabhi desho ke
representatives ko bulaya tha uski jagah usne sabhi deshon ko dhamki de daali ke sab
unke desh ke hissab se hi chalen kyu ki unka desh sabse powerful hai pure meeting ki
tasvir hi badal gayi sabhi desh ke representatives apne apne desh ko takatwar batane lage
ab iska koi nishkarsh toh nilkalne wala tha nahi isilye ye meeting ek bade jhagde ke saath
khatam hui Abbadon ne apna kaam bakhubi kar diya tha

ab chalte hain Abraxas ki taraf Abraxas pahuncha vakazula desh ye wahii desh hai jahan
secrilla jungle tha wahi ke binzol city ke ek underground factory me underwold ki meeting
chal rahi thi alag alag gangs ke dons waha moujud the sabhi dons ke beech pahunch
Abraxas ne mantra bola" swayam drishti prayojina jitne bhi dons the sabke mann main
dusre dons ki kaam ko haathi yaane ki iccha jaag gayi sabhi ek dusre ko offers dene lage
unke kaam apne naam karne ki sabhi taish me aa gaye the jab koi nahi maana toh dhamki
pe utar gaye kyu ki sabhi apne apne bodyguards ke saath the toh khoon kharaba toh nahi
hua par sabke mann main compmete control ki bhawana jaag gayi thi yahi toh Abraxas
chahta tha uska kaam bhi ho gaya
ab dekhte hain Lilitha ne kya kiya

Lilitha pahunchi klensole desh ke shahar plistel me iss shahar ko city of love bhi kaha jata
hai Lilitha ek jheel ke kinare pahunchi jo plistel ke beech me tha hridayam shamikayam
lubham kara ajate Lilitha ke iss mantra ucharan ke saath hi uske haath se ek adrishya
roshni nikali aur hawa me ghull gayi jaise jaise ye hawa plistel ke logon tak pahunchi logon
ke dimag me jo jagah pyar ki thi usme hawas bhi ghulne lagi ye mantra dheere dheere
apna asar karti thi dhekte hi dekhte kuch mahinon me ye love city sirf naam ki rah gai uski
jagah love ki jagah lust ne leli Lilitha ka kaam bhi ho gaya usse maalum tha iss city me
carodon log har saal ghumne aate hai ab wo aayenge toh apne love ke saath ya love
dhundne par jayenge lust ke saath ye sochte hue hi Lilitha muskura di aur gayab ho gayi

ab chalte hain Valefor ki taraf ye kaha gayen? arre ye toh Dekholm desh ke DSRO
(Dekholm Space & Research Organisation) me hain ye yaha kya kar raha hai? ohh ab
samjha darasal dekholm desh nuclear energy ke parikshan me no ek hai toh apni shakti
pradarshan aur kaam ke liye isse achi jagah toh Valefor ke liye ho hi nahi sakti Valefor
sidha uss chamber me pahunche jahan dekholm ke cheif scientists kuch experiments kar
rahe the "bhavo visheshana vinaashaya davaynti" aur ek tarang nikal sabhi scientists ke
dimag me ghus gayi

Scientist 1:- friends main soch raha tha ki kyu na filhal ke liye iss experiment ko rok kuch
alag try kare mere dimag me ek idea aaya hai kyu naa apne desh ki raksha ke liye hum ek
underground nondeductable weapon banaye sabhi scientists chonk gaye kyu ki sabhi ke
mann main ye khayal ek saath aaya tha par kisine koi shocking reaction nahi diya aur iss
idea ko approove kar liya aur sabhi iss kaam me lag gaye ab ek desh weapon banate aur
baaki desh chup rahenye toh ho nahi sakta Valefor ye baat ache se janta tha issliye usne
aisa kiya

Jairaj apni gaadi me baith sidha site par pahunchte hain Jairaj ek government civil
engineer hai aur abhi dhenkanal ke nadi ke upar ek bridge bana rahe hain jab Jairaj waha
pahunche toh unhone dekha ki sirf aadhe mazdoor hi kaam kar rahe the aur baaki aadhe
laapata the yaha tak ki unka Supervisor Anil bhi gayab tha Jairaj ne ek mazdoor ko bula
kar pucha ki baki mazdoor kaha hain mazdoor ne bataya ki aadhe mazdoor Mangal ke
saath nadi ke dusri taraf bane chote se baag ki taraf gaye hain supervisor sahab bhi unhi
ke peeche peeche gaye hain Jairaj bhi ussi taraf ho liye jab Jairaj waha pahinche toh waha
ka mahoul dekh unhe bohat ghussa aaya par kisi tarah unhone khud ko shaant kiya aur
uss ore badh gaye scene kuch aisa tha ki saare mazdoor ek ped ke neeche baith kar taash
khel rahe the Anil wahi par khade hokar un sab ko kaam me wapas jane ke liye keh rahe
the par koi unki baat ko sun hi nahi raha tha sab apne me hi magan the Jairaj Anil ke paas
pahunchne

Jairaj:- Anil tum yaha khade ho tumhe toh abhi site par hona chahiye naa

Anil:- sir me in sab ko bulane aaya tha par ye sab toh meri baat sun hi nahi rahe Mangal
ko ab laga ki Jairaj bhi ab usko convince karega aur fir Mangal apni sharte Jairaj ke saamne
rakhega par jo hua usse na sirf Mangal shock ho gaya balki Anil aur baaki saare mazdoor
bhi chonk gaye kya hua hoga chaliye dekhte hain

Jairaj:- Anil kal tak ka inka pura hissab ho gaya hai kya

Anil:- yes sir pura ho gaya hai

Jairaj:- haan toh thek hi toh hai naa ye sab tumhari baat kyu sunenge ab ye hamare liye
kaam nahi karte tum chalo yaha se inhe khelne do hame bridge ka kaam jaldi khatam
karna hai aur mazdooron ki tention mat lo wo sab main manage kar lunga Mangal ko Jairaj
se aisi baat ki ummid nahi thi wo pehle toh shock ho gaya par phir Jairaj ki baat khatam
hote hote sambhal chuka tha ab wo thaira ek chirore dhang ka insaan baat bhi waisi hi
karega naa taish me aakar bola aise kaise kaam se nikal doge yaha mazdooron ki union
hai aur main unka leader hun bina mujhse puche koi kaam nahi hoga aur Jairaji aap zyada
hi nahi bol rahe ho ye hamara ilaka hai zyada hoshiyari dikhayi naa toh chataaakk ek tez
awaaz ke saath Mangal zamin par kaale kaale gaal par 5 ungliyon ke nishaan sab shocked
Anil toh aankhen phade kabhi zameen pe gire Mangal ko dekhta toh kabhi Jairaj ko Jairaj
ki aankhen iss waqt surkh laal ho chuki thi jabde bheechen hue the haathon ki muthi sakti
se bandhi hui thi baaki ke mazdoor toh Mangal ko thappad padte dekh hi peeche hat gaye
the aur Mangal ka toh kaan hi suunn ho gaya tha fir Jairaj Mangal ke paas gaye aur uska
collar pakadkar usse uthaya aur zor se dhade se mara

Jairaj ko yaha Dhenkanal me shift hue kuch 5 mahine hi hue the yani ki Minu ki pregnancy
shuru hone ke baad issi ke chalte wo Mangal ko kabhi zyada mouh nahi lagate the uski
choti moti galtiyon ko maaf karte aa rahe the isse Mangal ne samja ki naya engineer thoda
phattu hai isse apne hissab se nachaya jaa sakte hai par wo nahi janta tha ki Jairaj ek
dabang kism ke insaan hai zindagi se lad lad kar hi wo iss mukam tak pahunche the bas
apni pregnant biwi ke dar se ki kahi kisi se ulajh ne ka asar unki biwi pe na ho wo kuch
zyada kehte nahi the par aaj Mangal ne apni had paar kar di thi saza toh usse milni hi thi
naa toh kya be haan toh kya? ye bolte waqt Jairaj ne Mangal ko pura jhinjhod diya tha
Jairaj:- saale tu samjhta kya hai be mujhe haan saale tere jaisa paav kilo ka c******ya
mujhe dhamki dega abbe jhinge tere aur mere beech sirf iss kapde ka fark hai samjha agar
ek baar ye utar gaya naa toh dada giri me main tera baap hun saale agar dubara fir kabhi
mere nazar ke saamne aaya toh kasam se nanga karke marunga aur ghasitunga alag
samjha ye bol ek aur chataakk thapad Mangal ke gaal par pada iss thappad se Mangal ke
hoth phath gaye khoon nikalne laga Mangal ladkhada ke wahi gir gaya

Jairaj:- aur tum sab kaam me chalna hai ya iss c******ye ke saath bhai bhai kheloge

Mazdoor:- nahi sahab hum biwi bache wale log hain wo toh iss Mangal ne bonus ka lalach
dekar humko fasa liya tha ab noukri hi nahi rahegi toh bonus kaha se aayega hume maaf
kar dijiye dobara aisi galti nahi hogi

Jairaj:- theek hai par ye aakhri baar hai dobara aisi galti bardasht nahi karunga aur haan
agar union leader banana hai toh kisi dhang ke insaan ko banao aise gawaar ko nahi chalo
sab kaam pe sabhi mazdoor chup chap kaam pe nikal gaye peeche reh gaya sir jhukaaye
Mangal

Anil:- sir maine aapka ye roop pehle kabhi nahi dekha tha

Jairaj:- Mangal jaiso ke liye aisa banana padta hai Anil ye sab so called tapori aur gunde
ye nahi jante ke sharif aadmi se bada gunda koi nahi bas uspe zimmedari hoti hai issliye
wo kuch nahi karta warna agar ek sharif aadmi ka dimag khiska toh in jaise 100 pe wo
akela hi bhaari hai

Anil:- sach kaha sir

Dusri taraf Asmodeus ke mahal me Asmodeus apne devils ke kaam ko dekh raha tha
chehre pe halki si smile liye aage ke bare me soch raha tha ki achanak uske saamne ek tez
roshni hui aur issi ke saath Monslickel ka samay chakr ruk gaya jitne bhi devils bahar
ghoom rahe the sab apni apni jagah freeze ho gaye par Asmodeus ko kuch nahi hua wo
waise ka waisa hi tha aur ye kya roshni honasamay chakra ka rukna in sab ke bawajud
Asmodeus chonka bilkul bhi nahi tha balki uske chehre ki smile aur badh gayi thi wo roshni
dheere dheere kam hui aur jab khatam hui toh Asmodeus ke saamne 3 spirits khade the

(time for some new & important characters entry)

jab God ne Asmodeus ko uske position se hatakar usse swarg se nikala toh Asmodeus ki
jagah ko bharne ke liye God ne 3 holy spirits banayi par iss baar wo koi chuk nahi chahte
the issliye unhone Asmodeus ke kaam ko kisi ek ko naa dekar teeno me baant diya un holy
spirits ke naam aur kaam hain:

1: Saint Alfrick (the creature of life) ye insaan ke zindagi ka lekha jokha rakhte hain

2: Saint Cecilia (the creature of love) ye insaan ke mann main pyar aur bharosa paida karti
hain

3: Saint Sebastian (the creature of death) ye insaan ke marne ka waqt nirdharith karte hai
kai baar jab kisi insaan ki mritya uske samay se pehle ho jati hai toh Saint Sebastian aur
Saint Alfrick milkar uss insaan ko punar jeevan dete hain

Asmodeus:- well well ye main kya dekh raha hun "the three Gods messenger the Saints
of life love & death mere gareeb khaane me lagta hai God Asmodeus se fir naraz ho gaye
tabhi toh world ke rakhwalon ko bheja hai mujhse baat karne kyu? ye baat Asmodeus ne
kuch tanz kasne ke tarike se kahi thi par isse the three Saints ko koi fark nahi pada ulta
unke chehre par muskaan aa gayi

Saint Cecilia:- mehmaano ka swagat taane se kam se kam tumse aisi ummid na thi
Asmodeus khair taane me hi sahi tumne hamari taarif toh ki uske liye tahe dil se shukriya
(Saint Cecilia creature of love thi bohat hi khush mijaz aur baaton me sabse aage)

Asmodeus:- Saint Cecilia maanna padega sadiya beet gayi par aapki khoobsurti aur hazir
jawabi ka aaj bhi koi tod nahi par yaha waqt ko rok kar aap teeno maharathi mujhse gappe
ladane toh aaye nahi ho toh kaam bhi baat kare

Saint Sebastian:- zaroor Asmodeus tumhe bhi maloom hai ki abhi kalyug hai paap toh
waise bhi iss yug ka hissa hai aur upar se jis tezi se ye faile raha hai tumhari shakti bina
kisi koshishon ke hi badhti jaa rahi hai fir bhi tumne apne charo devils ko apni shakti
istemaal kar aur paap aur tezi se badhane ke liye kaha ye toh sahi baat nahi hai naa

Asmodeus:- sahi aur galat ka paath mujhe naa padhayen aap mere shakti se paap badhana
aapko galat lag raha haiaur jo God ne kiya uska kya kisi maha shakti ka nirmaan kiya aur
usse dharti par bhej diya taaki mujhe haraya jaa sake wo sahi hai?

Saint Alfrick:- ye tumhe pehle sochna chahiye tha Asmodeus wo tum the jisne bagawat ki
thi wo tum ho jo dharti ka vinaash chahte ho apni shakti ka galat fayeda uthate ho tumhe
pata hai ki God tumhe khud nahi maar sakte ansh jo thehere unke tum par iska ye arth
toh nahi ki tumhara ant hi nahi hoga heere ko heera hi katatha hai tumhe abhi abhi ke
janme maha shakti ka aabhas ho gaya hai par najane kitne yugon se tum khud jo paap pe
paap kar rahe ho uska aabhas nahi hai tumhe najane kitne logon ko apne mayajaal me
fasakar maar chuke ho tum kya wo sahi hai jabki tumhe maaloom hai ki param pita
parmeshwar apne bacho se kitna prem karte hain

Asmodeus:- prem hahaha aur kaun se bacchhe ye insaan jinki haisiyat kisi keede se kam
nahi hai wo insaan jo hawas ko prem ka naam dete hain jhoot dhoka loot jinka pehla
dharm hai bhale hi ye bhagwan bhagwan ki rat lagate hain par karm inke aise hain ki mujh
jaisa shaitan bhi sharma jaye itne samudaay itni maanya taaye nitni bhinna tayen par inka
shroth kya hai achchayiii na na in sab ka shroth hai paap waah re bhagwan ke bacche
naam khuda ka par kaam shaitan ka jab maine God se kaha tha ki ye duniya unke pyar ke
layak nahi isse mita dijiye hai toh kya kya galat bola tha ek baar bas ek baar meri shaktiyo
me se ansh bhar ki bhi shakti in insaano ko de kar dekhoye sab khud hi sansar ko mita
denge bin shaktiyon ke ye haal hai shakti milne ke baad kaisa hoga socho mujhe dosh
dene se pehle apne aur apne bhagwan ke andar jhaank ke dekho pata chal jayega kaun
sahi hai aur kaun galat

Saint Sebastian:- bas Asmodeus bas apni galti ka pitara hamare aur God ke upar mat
phodo dil toh karta hai ki tumhe anant kaal ke liye issi grah me baandh dun par param
pita parmeshwar ka aisa koi aadesh nahi hai issliye tumhe chhodta hun bas itna batane
aaye hain hum ki apne devils ko kaho ki apni shakti ka mayajaal insano se hata den warna
unme se koi jivit nahi rahega ye kah teeno Saints jane ke liye antardhayan hue par ye kya
teeno toh wahi ke wahi hain Asmodeus ke saamne jana toh door wo toh hil bhi nahi paa
rahe hain ek adrishya jaal me phase khade hain Saint Alfrick ne kuch mantra padha jise
jaal tut jaye par koi faayda nahi hua baaki dono ne bhi try kiya par kamyab nahi ho paye
aur jab thakhaar kar saamne dekha toh Asmodeus apne raaj gaddhi par baitha muskura
raha tha

Asmodeus:- kya keh rahe the aap Saint Sebastian anant kaal tak mujhe iss grah yani mere
apne banaye hue grah me baandh denge haan meri chhodiye pehle khud ko toh bandhan
mukt kijijiye teeno Saints puri koshish kar rahe the ki wo kisi tarah mukt ho jayen par
kamiyab nahi ho paa rahe the

Asmodeus:- koshish bekar hai aap honge messengers of God par aap bhul rahen hain ki
aapke saamne kaun khada hai Asmodeus the creature of judgement aap teeno ki
shaktiyan mila bhi di jaye toh mere aage kuch nahi toh dobora mujhe dhamkaane ka
khayal bhi dimag se nikal se nikal dijiyega jaiye main apko mukt karta hun aur Asmodeus
ke aisa bolte hi adrishya jaal toot gaya
Asmodeus:- bhale hi God ne mujhe khud se door kar diya main sabse bade angel se sabse
bada devil ban gaya God mujhe maarna bhi chahte hain par Asmodeus iss baat ko jhutla
nahi sakta ki unhone hi mujhe banaya hai majboori me hi sahi par apni shakti ka sabse
bada hissa mujhe diya hai dekha jaye toh mere upar God ka ek ehsaan hai aur Asmodeus
ehsaan nahi rakhta "shaktiyem puneh vishleshane viklom bhava" Asmodeus ne apne
haath failayeye mantra bola Asmodeus ke haathon se nili pili kaali aur hari roshniyan nikli
aur Prithvi ki taraf chal di saari roshniyan har uss jagaj gayi jahan jahan charon devils ne
apna maaya jaal buna tha aur dekhte hi dekhte kuch hi palon me saara mayajaal toot gaya
log phir waise hoga ye jaise pehle the unhe yaad bhi na raha ki maya jaal ke prabhaav me
unhone kya kya galtiyan ki hai sab kuch pehle ki tarah theek ho gaya

Asmodeus:- Saints jao Prithvi pehle jaisi ho gayi hai koi mayajaal nahi raha ab aur keh
dena God se ki Asmodeus ke sar se unka ehsaan utar chuka hai aur haan ye bhi keh dena
ki unke pyaare sansaar ko barbaad karne ke liye Asmodeus ke maya jaal ki zaroorat nahi
hai ek na ek din insaan khud hi apne aap aur sansaar ko khatam kar lenge ab aap sab jaa
sakte hain teeno Saints abhi tak shock me khade the unhe vishwaas nahi ho raha tha ki
wo Asmodeus ke ek mantra tak ko kaat nahi paye unhe ye pata tha ki Asmodeus bohat
takatwar hai par ye nahi pata tha ki wo teeno milkar bhi Asmodeus ka saamna nahi kar
sakte wo Asmodeus se bina kuch kahe chup chaap antardhayan ho gaye

Asmodeus:- God agar main chahta toh aapke in teeno messengers ko yahi khatam kar
deta par ek doot ko maarna galat hai ye aapne hi sikhaya tha dekha main kuch nahi bhula
God par aap bhul gaye ya phir samjh nahi paye ye sansar aapke pyar ke yogya nahi hai
thek hai aapne mere anth ke liye ek nayi shakti ka nirman kiya hai naa wada hai mera
aapse Asmodeus aapki uss shakti ko nahi dhundega badhne dijiye usse jab wo shakti apna
purn aakar pura swaroop lelegi tab uska saamna hoga Asmodeus se wahi dusri taraf God
ye sab dekh muskura rahe the unke saamne teeno Saints sir jhuka kar khade the (toh
doston ye hai apne story ka villain par kya isse villain kehna sahi hoga baat toh ekdum
pate ki karta hai aur kya aage chalkar aise khatarnaak taakaton ke maalik Asmodeus se
ladhna hamare hero ke liye aasaan hoga jabki yaha Asmodeus sirf maha shaktishali hi nahi
maha gyani bhi hai aur saath me suljha hua bhi)

God:- maine tum teeno se kya kaha tha? iss waqt teeno Saints sar neeche karke khade
the

God:- jawab do
Saint Alfrick:- hume maaf kar dijiye parampita hum krodh me aakar Asmodeus se ulajh
baithe

God:- hmm jeevan me hamesha apni galtiyon se hi nahi sikha jata dusro ki galtiyon se bhi
seekh li jati hai issi krodh ki wajah se Asmodeus ko maine nikal diya tha ye galti tum teeno
na dohraao toh thek hoga

The three Saints ek saath:- jee parampita hum yaad rakhenge ye bol teeno ne sir jhukaaya
aur waise hi sir neeche kar dheere dheere jane lage

God:- ruko mann main agar aashankayen ho sawal ho toh puch lena chahiye

Saint Cecilia:- God aapse toh kuch chhupa nahi hum bas yahi janana chahte hain ki hum
teeno milkar bhi Asmodeus ke maatr ek mantra ka saamna bhi kyu nahi kar paye hum toh
apke messengers hai aur Asmodeus ek shaitan fir wo itna takatwar kaise?

God:- iska jawab bohat sidha sa hai Cecilia tum teeno mere urja se bane ho claudious bhi
mere urja ka hi roop hai (ji haan doston yahi hai God ka sabse powerful angel "Claudious"
"the angel of light") isse warrior of God bhi kaha jata hai isse God ne Asmodeus ke saath
hi banaya tha par claudious God ke saath saath Asmodeus ke bhi adhin tha kyu ki God ne
Asmodeus ki help ke liye claudious ko banaya tha fir bhi iski taqat the three messengers
of God se zyada thi ab aisa kyu ye aage pata chalega

God:- aur Asmodeus mera ansh hai maine sirf usse nikala thauski taqat nahi li thi kyu ki
wo mera hi hissa hai main uski taqat khatam ya kam nahi kar sakta aur ab toh wo kaali
shaktiyon ka bhi maalik hai uski taqat ki koi seema nahi issliye maine tumse kaha tha ki
Asmodeus se bas wahi kehna jiske liye maine tumhe bheja tha

Saint Sebastian:- hame maaf kare Prabhu dobara aisa kabhi nahi hoga ye keh teeno
antardhayan ho gaye

Wahi dusri taraf teeno devils ko pata chal chuka tha ki unka mayajaal hat chuka par kaise
hata kisne hataya ye wo nahi jante the teeno wahi Secrilla jungle ke gufa me jama hue

Abbadon:- mera maya jaal toot gaya hai kya tum sab ka maya jaal ab bhi kaayam hai

Teeno:- nahi ek saath bolne ki wajah se teeno ek dusre ki taraf dekhte hain

Abbadon:- aisa kaise ho sakta hai? aisi kaun si shakti paida ho gayi hai jo hum charon ka
maayajaal ek saath tod sakti hai?

Abraxas:- mujhe bhi kuch samjh nahi aa raha hai ab kya kare?
Lilitha:- kya kare matlab? jisne bhi ye kiya hai usse khoj kar saza dete hain

Valefor:- nahi Lilitha ye itna aasan nahi hai jisne bhi ye kiya hai wo sadharan toh ho nahi
sakta zara socho jisne hum charon ka maayajaal itni aasani se tod diya wo kitna takatwar
hoga hume jald baazi nahi karni chahiye

Abbadon:- Valefor sahi keh raha hai mujhe lagta hai hume lord Asmodeus ko sab bata
dena chahiye

Abraxas:- par kya ye sahi rahega mera matlab kahi lord fir se naraz na ho jayen ki hum aisi
choti choti baatein lekar unke saamne jane lage

Cecilia:- haan ye bhi hai

Abbadon:- agar gaye toh shayad sirf naraz honge par agar unhe bin bataye khud hi faisle
lene lage toh pakka saza milegi

Abraxas:- nahi nahi hum sidhe devil's king ke paas hi chalte hain (Abraxas ko apni purani
galti yaad aa gayi thi ) kahi jane ki zaroorat nahi hai charo devils statue chehre pe dar aur
ho bhi kyu naa aawaaz Asmodeus ki jo thi

Asmodeus voice:- mere paas aane ko zaroorat nahi hai aur tum sab bhool rahe ho
Asmodeus se tum kuch waise bhi nahi chupa sakte aur rahi baat tumhare maya jaal ki toh
wo maine hi toda hai charo phir shocked ho gaye

Asmodeus:- zyada shock hone ki zaroorat nahi hai ab pehle se jaisa chalte aa raha tha
waise hi chalega aur issi se ke saath Asmodeus ki awaaz aana band ho gaya ab teeno ke
mann main sawal toh bohat thepar Asmodeus se puchne ki himmat kisi me naa thi teeno
bina kuch bole apne apne sthaan par gayab ho gaye

Dusri taraf Prithvi me:

dheere dheere din nikalne lage uss din ke baad se site par saara kaam thek se chalne laga
Mangal ki jagah mazdooron ne madan naam ke ek mazdoor ko union leader chun liya
Mangal bhi uss din ke baad se kabhi Jairaj ke saamne nahi aaya Jairaj ka bheja quotation
bhi sarkaar ne manzoor kar liya tha sab kuch thek chal raha tha par kehte hain naa har
cheez jo thek dikh rahi hai zaroori nahi ki thek hi ho yaha bhi kuch aisa hi tha bhale hi
Mangal Jairaj se thappad khane ke baad uske saamne kabhi nahi aaya tha par door se woh
Jairaj pe nazar rakhe hue tha usse bas ek sahi mouke ki talash thi Jairaj se apna hissab
barabar karne ki aur wo mouka usse mil bhi gaya uss ghatna ko 3 mahine ho chuke the ek
roz sunday ke din Jairaj apni patni Minu aur Vikram ko leke apni car se ghumne nikle the
dhenkanal se ek ghante ke faasle pe ek chota sa jungle tha jiske beech ek jharna tha Jairaj
aur Minu pehle kayi baar yaha aa chuke the par Minu ki pregnancy se pehle uske baad
sidhe aaj jaa rahe the thek ek ghante me hi wo uss jharne ke paas pahunch gaye wahi
unhone mat bhichai aur baith gaye Minu Jairaj ki Godh me baithi thi aur apna hero Vikram
monu ki Godh me arre maine aapko apne hero ka pet name toh bataya hi nahi toh Minu
ne Vikram naam ko hi short kar apne bache ka pet name Vicky kar diya tha toh hum bhi
issi naam se usse pukare ge Vicky aaj bhi ekdum shaant hi rehta tha Vicky 3 mahine ka ho
chuka tha par roya sirf tabhi tha jab usse vaccination lage the wo bhi thoda sa shuru shuru
me Minu aur Jairaj ko ye bada ajeeb lagta tha par unhone isse ignore kar diya haan toh
hum kaha thehaan toh Vicky Minu ki Godh me baitha tha aur jharne ki taraf dekh raha tha
maine pehle hi bata diya tha ki Jairaj bade romantic hain toh wo bhi lage hue the Minu ko
chhedne me Minu kabhi sharmaatikabhi Jairaj pe jhoota ghussa dikhati aur beech beech
me Vicky ko chum leti mahoul bada khushnuma tha par unhe nahi pata tha ki koi unpe
nazar jamaaye baitha tha ye aur koi nahi Mangal tha jo apne saath 5 logon ko lekar Jairaj
ke piche piche yaha tak pahunch gaya tha aur ab dheere dheere aage badh raha tha aur
kuch der me thek Jairaj ke piche khada ho gaya

Mangal:- umhu umhu kya Jairaj ji badi picnic manayi jaa rahi hai awaaz sunke Jairaj aur
Minu palte Mangal aur uske saath paanch log the par Jairaj ghabraye bilkul bhi nahi wahi
Minu ek pal ke liye ghabra gayi Jairaj Minu ki tarf dekhe aur ankhon se ishara kiya jaise
keh rahe ho ki kuch nahi hoga main hun yaha pe Minu bhi relax ho gayi

Jairaj:- kafi time laga diya Mangal tune koraghaat se hamara peecha kar raha hai fir bhi
itna late (ji haan doston Jairaj ko ye pehle se pata tha ki Mangal uska peecha kar raha hai
hua yun ki ghar se nikalne ke kuch 10 Minute ke drive ke baad Jairaj ne ek left turn liya
jise koraghaat turning point bhi bolte hain wahi se ek gaadi Jairaj ka peecha karne lagi
Jairaj ne back view mirror me ye dekha ki ek white van unke peeche aa rahi hai kuch der
toh Jairaj ne dhayan nahi diya par jab do teen turns ke baad bhi van ko apne peeche aate
dekha toh Jairaj ko shak ho gaya ki kuch gadbad hai thoda aage jane ke baad Jairaj ne ek
dhaabe pe gaadi roki aur Minu ko paani lane ka bahana bana kar andar chale gaye wo van
bhi dhaabe se thodi door aakar ruk gayi thi dhaabe me ek peeche ka darwaza bhi tha Jairaj
wahi se hote hue dusri taraf nikal gaye aur van ki aur badh gaye van road ke saamne ki or
paas hi khadi thi main road aur peeche ki road jahan iss waqt Jairaj khade the uske beech
kafi ghaane jhaad aur kuch ped the toh van ke andar ke logon ki nazar Jairaj pe nahi padi
par Jairaj ek ped ke peeche se van ke andar dhayan se dekhne lage thodi der me hi ye
clear ho gaya ki andar Mangal aur uske chamche hai Jairaj thoda aur paas gaye toh unhe
Mangal aur uske saathi yon ki awaaz sunayi di

Aadmi:- Mangal bhai apun log toh hathyar ich nahi laayen hai khaali haath jana safe hai
kya?

Mangal:- arre tention mat lo kuch nahi hoga wo bas apni patni aur bache ke saath hai ye
mouka main nahi chhod sakta waise bhi uske liya hum aise hi kafi hai saale ko aaj jaan se
hi maar dunga

Aadmi 2:- bhai uski wife kya kadak maal hai aisa maal market me dikhne ko bhi nahi milta
hai pehle uss saale ko dhoyenge phir uss maal pe haath saaf kare ge

Mangal:- sahi bola tu aaj sab hissab kitab barabar kar dunga uss Jairaj se uske aankhon ke
saamne nangi karunga uski biwi ko sala jab tadpegaa tab iss dil ko chain aayega Jairaj ko
apni wife ke bare me aisi baaten sunke bohat ghussa aaya par wo apne ghusse ko daba
gayeaur wapas dhaabe me chale gaye dhaabe ka maalik Jairaj ko bohat ache se janta tha

Jairaj:- satsriyakal paa ji aur dasso ki haal hai

D owner:- oh ekdum vadiya Jairaj paa ji aur dasso savere savere ithe ki gal hai

Jairaj:- oh paa ji ai raaste vich guzar ra sitoh todha haal chaal puchan vaaste ruk gaye acha
paa ji ek phone kar lun

D owner:- bilkul karlo paa ji todha hi phone hai isme puchne vich ki lodh hai Jairaj ne kisi
ko call kiya kuch baat ki aur d owner se thankyou bol kuch mineral water ki bottles leke
nikal gaya

Minu:- kaha ruk gaye the kitni der laga di

Jairaj:- arre wo andar paa ji mil gaye the unhone hi rok liya

Minu:- bas baat kara lo aapse ek baar shuru ho gaye toh khatam hone ka naam hi nahi
lete

Jairaj:- janemann bhool gayi inhi baaton pe marti thi tum

Minu:- bas bas bade aaye baat karne wale chaliye waise bhi der ho gayi hai aur phir Jairaj
car start kar jharne ki taraf nikal gaye

Back to Present: Mangal ye sunke shocked ho gaya usse laga tha Jairaj itne logon ko dekh
ghabra jayega par yaha toh Jairaj ne hi Mangal aur baakiyon ko hadbada diya
Mangal:- waah maanna padega jante hue bhi ki hum tere peeche hai yaha aa gaya uss din
mujhe bohat c*******ya c*********ya keh raha tha naa ab bata c******ya kaun hai
bhaag sakta tha tu par marne aa gaya

Jairaj:- beta c*******ya toh tu hi hai aur agar Jairaj ko tu thek se janta toh 5 nahi kamse
kam 50 c**********ye laata

Mangal:- bol toh aise raha hai jaise hum sab ko ek saath peeth dega dekhna pehle tere
thobde ka naksha bigadunga aur fir teri iss biwi ka wo haal karunga dhooob ek zordar
mukka sidhe Mangal ke mouh pe aur Mangal neeche ek taraf ke hoth puri tarah se udhad
gayi thi aur side ke do daath bhi shahid ho gaye ek mukke se Mangal ka ye haal dekh ek
pal ke liya toh baaki ke paanchon bhi dar gaye upar se Jairaj bohat ghusse me dikh rahe
the

Minu:- arre ye kya kar diya tune Mangal main toh inhe tum sab ko maaf kar dene ke liye
kehne wali thi mere bare me bolne ki kya zaroorat thi tujhe ab bhugat ab main bhi kuch
nahi kar sakti aur issi ke saath Jairaj ne ek aadmi ka gala pakda aur utha ke patak diya iss
hamle ke liye paanchon me se koi tayar nahi tha natija ek zamin par leta karaha raha tha
uski kamar ko jhatka laga tha aur ab wo uthne ki haalat me nahi tha par ab baaki charo
sambhal chuke the wo ek saath Jairaj ki aur badhe par Jairaj ready the unhone uchal kar
do ko apne dono pair failakar kick jad diya wo jaakar door gir gaye neeche aate hi Jairaj
ne ek ke pair me pair fasakar usse gira diya bacha ek usne neeche baithe Jairaj ke mouh
pe laath maarni chahi par tabhi Jairaj ne side hokar uski laath ko dodge diya aur ussi pair
ko pakad kar utha diya wo sidha niche gira Jairaj ne uske pair ko nahi chhoda aur pair ko
ghuma diya jise uska ankle tak karke toot gayi ek dard bhari cheekh nikal gayi uss aadmi
ki ab tak baaki teeno uth chuke the teeno ne 3 taraf se ek saath humla kar diya par Jairaj
bhi kam nahi thepehle wo ek ki taraf bhage aur side se hote hue uske peeche chale gaye
Jairaj ne usse upar utha diya aur baaki dono ke taraf fekh diya teeno ek dusre se takra kar
gir gaye ab unke uthne me waqt tha par Jairaj unhe mouka nahi dena chahte the Jairaj ne
apni belt kholi aur sataak sataakh sabko peetna chalu kar diya teeno ki dard bhari cheekh
har taraf gunj rahi thi par Jairaj belt barsaaye hi jaa rahe the in sab me Mangal ko toh hum
bhool hi gaye wo bhi ye sab neeche pade pade dekh raha tha aur kafi dar bhi gaya tha wo
samjh chuka tha ki sidhi ladai me wo Jairaj ko hara nahi payega par Mangal thehara kutta
apni harkaton se baaz toh aane se raha iss ladai ka maza door khadi Minu bhi le rahi thi
Mangal ne socha ki kyu naa Minu ko nuksaan pahunchaya jaye isse uska badla bhi pura
ho jayega Mangal wahi paas me pada ek pathar ko utha dheere dheere Minu ke peeche
ki taraf se hote hue Minu ki ore badhne laga ab Mangal Minu ke theek peeche khada tha
Minu iss baat se anjaan saamne ki taraf dekh rahi thi Vicky iss waqt Minu ki Godh me tha
aur uska mouh Mangal ke taraf tha Mangal ne socha kyu naa iss bache ko hi maar diya
jaye isse acha badla Jairaj se aur kya hoga yahi soch kar Mangal ne bache ko maarne ke
liye apna haath uthaya par haath uthate Mangal ko ek dhakka laga aur wo udta hua door
jaa gira usne phir koshish ki par phir wahi hua dusri baar Mangal ko kuch zyada hi zor ka
dhakka laga aur wo udta hua jab neeche gira toh uske back bone ko jhatka laga aur waha
ki haddi khisak gayi Mangal ko itna zyada dard hua ki wo cheekh bhi na paya aur behosh
ho gaya dusri tarf Jairaj baaki teeno ko maar maarke unki haalat bigad chuke the thek ussi
waqt Police syrin ki awaaz aane lagi aur aur dekhte hi dekhte do Police jeep Jairaj ke paas
aakar ruke ek jeep se Inspector Arjun nikle ye Jairaj ko jante the unke peeche peeche 6
constable nikle idhar Minu bhi kairaj ke paas aa gayi thi Arjun waha ka haal dekhkar chonk
gaye

Ins Arjun:- ye sab aapne kiya Jairaj ji

Jairaj:- aur chaara bhi kya tha main inhe nahi maarta toh ye mujhe maar dete

Ins Arjun:- waah maanna padega dimag chalnane wala itna acha haath pair bhi chala leta
hoga ye nahi socha tha bhabhi ji kya khilate ho inhe aap

Minu:- sir ye engineer baad me hain pehle ye karate me black belt hai college me toh in
jaise na jane kitno ko sidha kar diya tha inhone

Ins Arjun:- bhai waah maza aagaya agar aise hi sab apni suraksha karne lage toh humara
kaam kitna aasaan ho jayega

Minu:- aasaan nahi band ho jayega sabhi iss baat par hans diye phir sabhi constables ne
milkar gundon ko uthaya aur jeep me daala Mangal ki haalat kharab thi toh uske liye
ambulance bulani padi Jairaj aur Minu in sab se pehle gi ghar nikal chuke the fir kuch khaas
na hua din nikalne lage Mangal aur baaki ke uske chelon ke ilaaj ke baad jail me daal diya
gaya sab kuch normal ho gaya dekhte hi dekhte 10 mahine nikal gaye bridge ka kaam bhi
khatam hone ko tha bas kuch final tests aur fir inogauration in 10 mahino me baaki sab
toh normal tha sivaye ek cheez ke wo thi apne hero ki growth Vicky sirf 10 mahino me hi
chalne lag gaya tha bolne lag gaya tha yaha tak ki nursary ke starting ki books bhi padhne
lag gaya tha ab iss chamatkaar se sabhi hairan the Jairaj bhi aur Minu bhi kamla toh ab
full confidence se bolti thi ki dekha maine kaha tha naa ki chote maalik adbudh hain ab
iss baat ko Jairaj aur Minu bhi maanne lage the unhe Baba Vishakht ki baatein yaad aa
rahi thi jo unhone unke bache ke bare me boli thi fir wo din bhi aa gaya jab bridge banke
tayar ho gaya uska inauguration bhi ho gaya aur ab Jairaj ka kaam bhi khatam ho gaya tha
Jairaj ko do naye projects ke offer mile the jo kafi bade bhi the par unke mann main kuch
aur chal raha tha Minu bhi iss baat se anjaan nahi hi thi unhone Jairaj se pucha bhi par
Jairaj ne baad me bataunga kehkar baat taal di

Agle din subah Jairaj bahar lawn me baithe newspaper padh rahe the Minu unke saath
baithi hui thi Vicky lawn me daud raha tha aur uske piche saare noukar ki achanak gate
keepar Jairaj ke paas aaye aur bole ki Baba Vishakht aaye hue hain Jairaj aur Minu ye sun
chonk gaye aur khush bhi ho gaye wo dono khud bahar ki aur chal diye Baba ko lene Baba
Vishakht wahi gate par khade the

Jairaj:- Guru dev hume maaf kar dijiye aapko itni der yaha khada rehna pada

Baba Vishakht:- koi baat nahi baccho isme shama maange jaisi koi baat nahi aur ye kya
aaj tum mujhe Guru keh kar bula rahe ho pichli baar toh Baba kaha tha naa

Minu:- Guru dev tab ki baat aur thi tab hum aapko sirf ek samanya sadhu samjhte the par
ab hum jaan gaye hai ki aap sadharan toh ho nahi sakte jis tarah uss din aapne hume
hamare atith ke bare me bataya hamare bache ka naam rakha aur uska bhavishya
batayawo koi divya aatma ya koi mahapurush hi kar sakta hai hamne pehle aapko galat
samhja uske liye kripa hume maaf kare

Baba Vishakht:- maine pehle bhi kaha tha putri ki isme shama maange jaisa kuch nahi aur
rahi baat mere mahapurush hone ki toh main bas ek sadharan manushya hun jo wahi kar
raha hai jo usse karne ko kaha gaya hai

Minu:- kaha gaya hai matlab Guru dev kisne kya kaha hai?

Baba Vishakht:- samaya aane par sab jaan jaogi putri

Jairaj:- arre Minu saari baat yahi kar logi kya ya Guru dev ko andar bhi aane dogi Guru dev
kripya andar chalkar humare ghar ko dhanya kare

Baba Vishakht:- awashya putra phir Baba Vishakht Jairaj aur Minu andar ki aur chal diye
andar aate hue Baba Vishakht ne dekha ki Vikram waha khel raha hai wo nanhe nanhe
kadmo se idhar udhar doud raha tha aur uske piche saare nauker daud rahe the Baba
Vishakht ye dekhkar muskurate hue ussi aur badh gaye Jairaj aur Minu bhi Baba ko apne
bache ki taraf jata dekh unke piche ho liye Vikram apni hi dhun me doudta hua Baba
Vishakht ke paas aakar unse takrane hi wala tha ki Baba Vishakht ne usse Godh me utha
liya Vikram ko Godh me uthate hi Baba Vishakht ko aisa laga jaise samast bramhaand ki
urja unki Godh me aa gayi ho Vikram bhi Baba Vishakht ki Godh me aakar unki daadhi se
khelne laga jise dekh Minu Jairaj aur Baba Vishakht bhi muskurane lage

Baba Vishakht:- apka naam kya hai beta

Vikram:- mera naam Vikram hai

Baba Vishakht:- arre waah aap toh ek dum achi aur saaf hindi bolte ho bohat ache kaha
se sikhi?

Vikram:- maine aahh kya pata apne aap aa gayi

Baba Vishakht:- apne aap ye toh aur bhi achi baat hai Baba Vishakht baat toh Vikram se
kar rahe the par saath saath apne mann main kuch mantra bhi bol rahe thejise unke haath
se ek adrishya roshni nikal ke Vikram ke andar jaa rahi thi ab ye roshni kya thi ye janane
ke liye chaliyeek chote se flashback me jaate haiN ek din pehle Baba Vishakht dhayan me
baithe hue the ki achanak Saint Sebastian unke saamne prakat hue par isse Baba Vishakht
ke dhayan me koi fark nahi aaya wo waise hi apne dhayan me magan the Jairaj ke ghar se
nikalne ke baad se hi Baba Vishakht antardhayan ho ek ghane jungle ke beech jaakar
dhayan main baith gaye the abhi tak wo apne dhayan awastha se loute nahi the jab se
unhe shraap mila tha wo dhayan me nahi baithe the par ab unka mann atti prassan tha
hota bhi kyu na najane kitne yugon ke baad shraap mukt jo hue the unki shaktiyan unhe
wapas mil chuki thi unki paanchon kundliyan jaagrit ho chuki thi iss waqt Saint Sebastian
unke saamne khade ho muskura rahe the Baba Vishakht ki khushi Saint Sebastian se
chuppi nahi thi

Saint Sebastian:- Guru vishisht aankhen kholiye

Saint Sebastian ki aawaaz Baba Vishakht ke kaanon me hi nahi unke hriday tak ko pohunch
gayi Baba Vishakht ne turant aankhen khol di apne saamne Gods messenger ko dekh kar
Baba Vishakht apne ghutno par baith gaye

Baba Vishakht:- aaj main dhanya ho gaya jo swayam Saint Sebastian ne mujhe darshan
diye

Saint Sebastian:- ye apka badappan hai Guru vishisht jo aap aisa keh rahe hain main aaj
jis sthaan par hun wo mujhe kismat se mili hai par aapne jo bhi haasil kiya hai wo sab
aapki mehnat aur kathor tap se paya hai
Baba Vishakht:- nahi Prabhuaisa mat kahiye main ek tuchpaapi manushya hunaur aapke
charano ke dhul jitna bhi yogya nahi aapse maatr bhet hopaana kisike bhi jeevan ko
dhanya kar dega

Saint Sebastian:- Prabhu sirf ek hain Guru Vishakht hum sab toh bas unke aadesh ko pura
karne wale bhakt hain waise main yaha tumhe kuch batane aaya tha

Baba Vishakht:- ji maha Guru boliye

Saint Sebastian:- tumhe toh pata hi hoga ki kuch mahine pehle Jairaj pe humla hua tha
jisme Vikram ko bhi nuksaan pohunchaane ki koshish ki gayi thi

Baba Vishakht:- ji maha Guru par maine ussi waqt Vikram ke aage ek surakha kawach daal
diya tha (ji haan dostonye Baba vishakt hi the jo dhayan awastha me Jairaj ki ladhai dekh
rahe the aur jab Mangal Vikram ko maarne ke liye uske paas gaya toh Baba Vishakht ne
Vikram ke aage ek suraksha chakra bana diya tha

Saint Sebastian:- ye hame pata hai par bhavishya me aisa kabhi na ho isilye hum yaha aaye
hain

Baba Vishakht:- maha Guru meri nazar har waqt Vikram par rehti hai jab tak usse uski
shaktiyan nahi mil jatimain usse kuch bhi nahi hone dunga

Saint Sebastian:- mujhe pata hai ki aap Vikram ko bachane me saksham hain par ye kalyug
hai Guru Vishakht aise bohat si takatein janm le chuki hain jo Vikram ko nuksaan pahuncha
sakti hai bhale hi tumne Vikram ki shaktiyon ko surakshit chupa diya haipar fir bhi uska
roop aur akarshan insaano se zyada prabhaavshali hoga ek khichav hoga usmejo ya toh
uske doston ki sankhya badhayega ya dushmano ki insaano ke beech kuch aise mayavi
jeev ghus chuke hain jinhe Asmodeus se black magic ki energy mili hai kalyug me kisike
bhi manushya ke andar se white light energy nahi nikalti hai par Vikram toh khud God ka
ansh haiye energy toh uske saare sharir yaha tak ke uske khoon me bhi hai un mayavi
jeevo se ye chup nahi payega aur wo usse nuksaan pahunchaane ki koshish awashya kare
ge ho sakta hai jab wo mayavi jeev Vikram par humla kare aur tum usse bachalo toh wo
usse toh kuch kar nahi payenge par uss suraksha jaal ka shorth jo ki tum hoiska pata unhe
chal jayega jo wo Asmodeus ko zaroor batayenge Asmodeus ne Vikram ko chot nahi
pahunchaane ka waada kiya hai par tumhe wo nahi chhodega aur ye hum nahi chahte

Baba Vishakht:- toh mere liye kya aagya hai Guru dev
Saint Sebastian:- sarwasw suraksha prajotanam ye mantra tum Vikram ko apne aalingan
me lekar kehna isse naa sirf ek suraksha kawach Vikram ke sharir ke charo aur faile jayega
balki Vikram ki sharirik shakti bhi kafi badh jayegi jab tak uski saari shaktiyan usse nahi mil
jati tab tak ke liye ye awashyak hai

Baba Vishakht:- kintu Guru devchote mote jhagde ladayian toh aam baat hai khaas kar ke
ladko ke beech me toh kya aise me logon ke beech Vikram ke shaktiyon ka ujagar hona
theek hoga aise me toh Vikram waqt se pehle hi sabki nazar me aajayega khaas kar ke
buri shaktiyon ke

Saint Sebastian:- aap nishchint rahen Guru Vishakht jo suraksha kawach Vikram ke sharir
me samayega wo tabhi kaam karega jab uspe praan ghaati humla hoga baaki samay wo
Vikram ke andar hi rahega aur rahi sharirik shakti kitoh wo Vikram ke paas hona atyant
zaroori hai

Baba Vishakht:- jo aagya Maha Guru

Saint Sebastian:- kalyan ho aur phir Saint Sebastian gayab ho gaye

back to present: vijayi bhav putra thek hai jao aap khelo Vikram Baba Vishakht ki Godh se
utar kar phir idhar udhar doudne lag gaya

Jairaj:- Guru dev hum andar chalen? uski awashyakta nahi hai putra mujhe bas Vikram se
milna thajo main mil liya ab mujhe ijazat den

Minu:- kintu Guruwar aap ne toh kaha tha ki jab koi sankat aayega tab aap aayenge kripa
karke ye toh bataiye ki kya sankat aane wala hai

Baba Vishakht:- sankat aane wala hai nahi aane wala tah par ab chinta ki koi awashyakta
nahi Minu kuch kehne wali thi par usse pehle hi Baba Vishakht bolemujhe pata hai aap
dono ke mann main kai sawal honge un sabhi sawalo par viraam dijiye sahi samay aane
par saare jawab aapko apne aap mil jayenge Jairaj jaisa aap theek samjhe Guruwar kintu
aap kuch der ke liye hi sahi par andar toh aaiye hume aapki kuch sewa ka awsar dijiye

Baba Vishakht:- wo awsar bhi zaroor aayega putra par abbi mujhe jana hai haan par main
aap dono se kuch wachan lena chahta hun

Jairaj/Minu:- kaisa wachan Guruwar

Baba Vishakht:- ye toh sahi waqt aane par hi pata chalega par aapko vachan dena hoga ki
jo bhi main mangun ga aap mujhe denge
Jairaj/Minu:- hum vachan dete hain Guru dev hame pata hai aap jo bhi maangege usme
bhi kuch acha hi hoga

Baba Vishakht:- atti uttam aap dono ki soch aur hriday ati shudh hai Prabhu apki saari
mano kaamnaye puri kare acha ab main chalta hun Jairaj aur Minu ne Baba Vishakht ke
charam sparsh kiye Baba Vishakht dono ko fir se aashirvaad dekar chale gaye

Dusri taraf Asmodeus apne darbaar me baith kuch soch raha tha

Asmodeus:- (mann main) maine God se waada toh kar diya ki main unki bheji shakti ka
pata nahi lagaunga naa hi uska kuch nuksaan karungapar wo shakti sach me kitni takatwar
hai isse bina jane uska saamna karna murkhta hogi akhir kuch soch kar hi God ne uss shakti
ka nirman kiya hoga par ab kara bhi kya jaa sakta hai koi naa koi rasta toh nikalna hi hoga
Asmodeus ne apni aankhen band ki aur apni antarik shakti ko jaga kuch dhundne laga aur
jald hi hi usse ek hal mil gaya Asmodeus ke chehre par ek muskurahat aa gayi wo turant
apne mahal se gayab ho gaya aur sidhe pahuncha "The world of Warriors me" jise the
world of power dynamics bhi kaha jata hai par ye kya ye duniya toh bilkul darawani dikh
rahi thi jagah jagah logon ko devils maar rahe the bohat se gharon me aag lagi hui thi
raaston me adhjale laash biche hue thejinke paas bhi devils khade the shayad abhi abhi
unlogon ko in devils ne khaya tha mahoul bohat hi bhayanak tha log ro rahe the par un
devils pe iska koi asar nahi ho raha tha yahi haal uss puri duniya ka tha par ye kya itne
kharab mahoul me jise hell se kam nahi keh sakte waha thodi thodi door me bade bade
banners bina kisi sahare ke tange hue the ajib ye nahi thaajib wo tha jo banner pe likha
hua tha banner pe likha tha "Asmodeus realm" ye kaise hua janene ke liye chalte hai uss
waqt me jab iss grah ka naam World of Warriors tha jab God ne universe (bramhand) ka
nirman kiya toh usse kayi saari galaxies me baant diya aur un galaxies me kai jeevan deyi
planets banaye jahan alag alag kism ke jeev aur insan rahne lage jisme se ek earth bhi hai
waise toh God sabhi grahon se aur unme rahne wale jeevo se pyar karte the par unka
lagav dharti ke prati zyada tha iska kaaran ye tha ki earth bramhand ke thek beech main
thi aur saare bramhand ke jeevan ka shroth aur energy earth se tha ye baat kisi bhi grah
ke logon ko nahi pata thi nahi kisi angel ko yaha tak ki Asmodeus ko bhi nahi planets ke
saath saath uski surakhsha ke liye God ne banaya "Defenders" ko har grah ke liye ek ek
Defender banaya gaya jiska kaam hota tha uss grah ka balance banaye rakhna Defenders
kafi shaktishaali hote the unki shakti ka shroth unke grah hote the jitna takatwar unka
grah hota utni hi unki shakti badhti thi sabhi grah earth ki energy ke wajah se zinda the
par iska ye matlab nahi tha ki waha ke log earth ke logon se kamzor the balki kayi aise
grah the jahan ke insaan aur anya jeev sharirik aur mansik shakti me earth ke logon or
jeevon se kahi zyada aage the jinke bare me aage pata chalega abhi chalte hai

The world of Warriors: naam se hi pata chalta hai ye planet warriors ke liye jana jata hai
yaha ka har bacha bada hoker warrior hi banta hai Prithvi ke logon ke mukable yaha ke
log bade hote hai inki height 7 se lekar 10 feet tak hoti hai yaha par koi shehar ya gaon
nahi hota sirf countries hoti hai jahan ka shashan raja karte hain aur saari countries mil
jhul kar rahti hai ye God ke saath saath apne Defender ki bhi puja karte hain par ab unka
Defender gayab ho chuka hai kaise chaliye batata hun jaisa ki maine bataya tha ki
Defender ki shakti uske grah ke takat ke hissab se badhti hai the world of warriors ek
bohat hi takatwar planet tha yaha ke log har tarh ke yudh me paarangat the par fir bhi
shanti se rahte the inke taakat ke saath saath inke Defender ki taakat bhi badhti gayi jab
Asmodeus ko iss baat ka pata chala toh wo pahunch gaya Defender ke saamne Defenders
aksar unke grah ke sunsaan ya aisi jagah rehte the jahan koi insaan naa pahunch sake iss
waqt bhi Defender ek ghane jungle ke beech bane ek jheel ke kinare baitha prakriti ke
sundarta ko nihar raha tha achanak usse ek bohat hi badi shakti ka abhaas hua wo uska
pata kartausse pehle hi uske saamne dhua ka gubbaar sa utha aur jab dhua hata toh uske
saamne Asmodeus tha ab tak Asmodeus ko God ne nikal diya tha ye baat sabhi Defenders
ko pata thi

Defender:- kya baat hai aaj mujhse milne the great Asmodeus khud aaye hain Asmodeus
shant hi khada ho ek tuk Defender ko ghur raha tha aise Asmodeus ko apne taraf dekhte
Defender halka sa dar gaya par dar ko apne chehre par nahi aane diya

Defender:- kya baat hai Asmodeus itne chup aisa kya soch rahe ho bina kisi kaaran toh
tum mujhse milne aayoge nahi toh batao kya kar sakta hun main tumhare liye

Asmodeus:- main soch raha hun ki waqt ke saath kitna kuch badal jata hai kabhi tum mere
saamne aane se sammaan se jhuk jaaya karte the par aaj sammaan toh chhodo main aap
se tum ban gaya

Defender:- pehle ki baat aur thi Asmodeus aur ye tum bhi achi tarah se jante ho main jiske
saamne jhukta tha wo ek angel tha aur ab jo mere saamne hai wo ek devil hai aur main
aahhh isse aage Defender kuch kehta amodeus ne apna haath aage kiya Asmodeus ke
haath se ek ray nikal kar Defender pe padi aur uski cheekh nikal gayi wo udta hua 20 feet
door gira tha par turant khada ho gaya

Defender:- tum apni hadh paar kar rahe ho Asmodeus mat bhulo ki tum ek Defender ke
saamne khade ho aakhri mouka de raha hun lout jao warna acha nahi hoga
Asmodeus:- bhul tum rahe ho ki tum Asmodeus ke saamne khade ho apni hadh me
rahoapna sir jhukao aur mere gulaam ban jao main tumhari zindagi baksh dunga

Defender:- tum mujhe gulaam banane aaye ho hahaha ye bolkar tumne apni maut pakki
kar li hai Asmodeus ab tumhe marna padega ye bolte hi Defender ne apni aankhen band
ki aur ek mantra bolauske haath me ek nili roshni dikhne lagi usne usse Asmodeus ke taraf
chhod diya nili roshni Asmodeus ke taraf badh gayi par Asmodeus ne apna haath aage kar
diya wo nili roshni Asmodeus ke haathon me sama gayi asmodeeus ne kuch mantra padha
jise wahi nili roshni bahar aayi fir Asmodeus ne apne dusre haath ko aage kiya aur uss nili
roshni ke upar rakh kuch mantra kaha jise wo nili roshni aasmaani ho gayi aur Defender
ki taraf tez gati se chal di Defender ne jab ye dekha toh usne apni aankhen band ki aur
sarvaswa surakhsha jaagnam kaha issi ke saath ek safed diwal si uske aage khadi ho gayi
roshni uss diwal se takrakar khatam ho gayi Asmodeus ne jab apna waar khali jaate dekha
toh apne dono haathon ko zameen me rakh kuch mantra kaha dekhte hi dekhte aas paas
ki zameen hilne lagi aur uss jagah blast hone shuru ho gaye Defender janta tha ki agar
usne jaldi se kuch nahi kiya toh wo uss blast ke chapet pe aajayega par taklif ye thi ki
zameen hilne ki vajah se wo ek jagah khada nahi ho paa raha tha Defender ne apni
aankhen band ki aur apne right haath ko zameen pe rakha aur dabane laga achanak
Defender ke haath ka aakar badhne laga aur ek safed roshni uske paachon ungliyon se
nikalne lagi Defender ne apne ussi haath ko uppar uthaya aur zor se zamin par de maara
Defender ke haathon se roshni zamin ke andar chali gayi aur zamin ka hilna dulna aur
blast hona band ho gaye Asmodeus chowk gaya usse pata tha ki Defender kafi takatwar
ho gaya hai par ye nahi socha tha ki uske waar ko Defender itni aasani se tod dega

Defender:- bohat hua Asmodeus ab meri baari Defender ne apni aankh band ki aur kaha
anekam roop vansham aur ye kya aaaa mantra bolne ke saath hi Defenders ke kai
humshakal ban kar charon taraf fail gaye Asmodeus ekdum shock ho gaya abhi Asmodeus
uss shock se bahar bhi nahi aaya tha ki charon taraf se Defender aur uske sabhi clones ne
ek shaktibeam uske upar chhod di Asmodeus iss hamle ke liye tayar nahi tha shaktibeam
aakar usse lagi aur Asmodeus door jaakar gira ye waar bohat ghatak tha Asmodeus ka
sharir jagah jagah se fat gaya aur Asmodeus ka khoon nikalne laga

Defender:- apni haar sweekar karo Asmodeus aur jao yaha se tumhe ek mouka aur deta
hun main apni jaan bachane kaa Asmodeus ko bohat zyada dard ho raha tha par usse
ghussa bhi bohat aa raha tha Asmodeus mar sakta tha par wo haar maan le ye sambhav
naa tha apni saari taakat lagakar wo khada hua par Asmodeus thek se khada bhi nahi ho
paa raha tha Asmodeus ne apni aankhen band kidhayan ekaagrit kiya aur mann main ek
mantra kaha pida muktam dekhte hi dekhte Asmodeus ke saare ghaav bhar gaye ab wo
puri tarah se thek tha

Defender:- waah kya baat hai Asmodeus itne dard me bhi mann ko ekaagrah kar khud ko
thek kar liya ab kya khayal hai wapas jaoge ya aur ladhna hai Asmodeus ko samjh nahi aa
raha tha ki asli Defender kaun hai kyu ki ye saari baatein sabhi Defenders ke mouh se ek
saath nikal rahi thi Asmodeus ne kuch sochkar apne haath failaye aur dheere dheere
aasmam me uth gaya Defender bhi soch me pad gaya ki ab ye kya kar raha hai phir
Asmodeus ne sabhi humshakal Defenders ki taraf dekh kar kaha "roop badlam maya jaal
bhangam abhi gyate Asmodeus ke aisa bolte hi uske dono haathon se roshni nikal ke sabhi
Defenders ke upar chali gayiaur jo asli Defender tha uske peeche uski parchai dikhne lagi
Defender ko pehle toh kuch samjh nahi aaya par jab tak usse samjh aaya bohat der ho
chuki thi Asmodeus ne ek shakti gola banakar uski aur fek diya tha Defender nishchint
khada tha usse pata nahi tha ki Asmodeus ne uske maayajaal ko pehchaan liya hai wo gola
sidha aake Defender ko laga aur wo door udta hua sidhe jharne me gira aur uske saare
humshakal bhi gayab ho gaye ab Defender dikh nahi raha tha Asmodeus ko laga ki
Defender murchit hokar paani me doob gaya hai par yahi wo dhoka kha gaya Defender ko
chot toh aayi thi par wo murchit nahi hua tha Defender turant udte hue paani se bahar
aaya aur ab Defender hawa me khada tha usne turant apne dono haath ek saath joden
aur ek pranghaatam mantra yaad kar apne haath aage kar diye ek laal beam Defender ke
haathon se nikli aur Asmodeus ke tarf chal di Asmodeus ne ye dekh toh liya par thodi der
ho gayi Asmodeus ne apne haath aage kar praan nishprabhaavyanti mantra bola jise
Defender ka mantra kat jaye par jab tak Asmodeus ne haath aage kiye tab tak wo beam
aake Asmodeus kp lag chuki thi Asmodeus wahi gir gaya usse asahaniya dard hone laga
pure sharir se khoon nikal raha tha Defender Asmodeus ke paas aaya aur bola

Defender:- maine tumhe mouka diya tha Asmodeus par tum nahi maaneab bhugto tum
marne wale ho yeh kehkar Defender palat gaya aur wapas jane laga abhi Defender kuch
hi door gaya tha ki awaaz aayi Defenderrr

Defender jab peeche palta toh stabdh reh gayakyu ki uske saamne Asmodeus khada tha
Asmodeus khada toh tha par uske pair kaamp rahe the haan par khoon nikalna band ho
chuka tha

Defender:- tum khade kaise ho aur tumhara khoon nikalna bhi band ho gaya ye asambhav
hai ab tak toh tumhe mar jana chahiye
Asmodeus:- hahaha abhi tumne Asmodeus ke bare me jana hi kya hai Asmodeus ko maara
nahi ja sakta Asmodeus ko sirf God maar sakte hai ya wo khud apne aap ko aur God wo
toh maarenge nahi par tumhe maara ja sakta hai jab tak ye dard mujhe ho raha hai tab
tak tum zinda ho sirf tab tak Defender bokhla gaya tha fir usne socha ki Asmodeus ko
mara toh nahi jaa sakta par usse ye dard toh lagatar diya jaa sakta hai aakhir dard ki
atyadikhta na seh paakar Asmodeus khud ko hi maar le toh yahi sochkar Defender ne wahi
pranghati mantra phir se bolkar Asmodeus ke uppar chhod diya par ye kya beam
Asmodeus tak pahunchne se pehle hi dum tod di Defender fir chonk gaya hua ye tha ki
jab Asmodeus khada ho raha tha tab usne badi mushkil se ek mantra padha sarwaswa
surakhsha jaagnam ab uske charo aur ek majboot surakhsha kawach ban chuka tha

Asmodeus:- zyada chonko mat Defender mene apne charo taraf surakhsha kawach bana
di hai ab tum kuch nahi kar sakte ab Defender aur pareshan ho gaya ki kya kiya jaye abhi
wo soch hi raha tha ki uske andar ek awaaz aayi putra tum usse hara nahi paoge waise bhi
abhi uska samay nahi aaya tum ye sthaan aur te grah chhodkar chale jao aur jab tak
kahana jaye wapas mat aana awaaz sun ke ek pal ke liye Defender chonk gaya par fir usne
kaha Saint Sebastian (jee haan doston ye Saint Sebastian ki hi awaaz thi ) agar main chala
gaya toh iss grah ka kya hoga

Saint Sebastian:- tumhare jane se iss grah ko haani toh pahunchegi par agar tum nahi gaye
toh ye grah hi nahi rahega ab tum soch lo tum kya chahte ho

Defender:- Guru dev main aapki baat kaise taal sakta hun jaisa aapne kaha hai waisa hi
hoga issi ke saath Saint Sebastian ki awaaz aana band ho gayi Defender ne apne saamne
dekha Asmodeus dard se tadap raha tha fir bhi muskura raha tha ab Defender ka waha
pe koi kaam nahi rah gaya tha Defender gayab ho gaya Defender ke achanak gayab hone
se pehle toh Asmodeus chonka fir uske chehre me ek halki si muskan aa gayi par dard
zyada hone ki wajah se Asmodeus behosh ho gaya

Ek dusre grah me

Ladki 1:- mom please maan jaiye naa main promise karti hun ki main life protector pehen
kar jaungi (ek aisa kapda jo aap jaisa chaho dikhne lagta hai aur isse pehenne se kisi bhi
shatru ka koi bhi waar beasar ho jata hai

Ladki 2:- koi zaroorat nahi hai aap soch bhi kaise sakti hain ki hum aapko iss grah se bahar
jane ki anumati denge humne aapko bohat mushkil se paya hai hum ye khatra nahi utha
sakte
Ladki 1:- kaisa khatra mom aap bhi janti hain mujhe kuch nahi hoga agar aapne hume jane
ki permission nahi di toh hum kuch bhi nahi khayenge isse pehle ki ladki 2 kuch kahti ek
awaaz aayi thek hai putri tum chali jao ye awaz thi king Solomon ki aur jo do ladkiya thi
unme se ek thi king Solomon ki wife Ashley aur dusri thi un dono ki beti Alesandra aur iss
grah ka naam hai isla jise fairy land bhi kehte hain Alesandra aur Ashley maa beti zaroor
the par dikhne me Ashley Alesandra se bas for saal hi badi lagti hain iski wajah hai ki isla
ke raajgharon ki ladkiyon ki umar sirf 21 saal tak hi badhti hai uske baad wo hamesha utni
hi badi lagti hain Alesandra iss waqt 17 saal ki hai aur Ashley ki umar 500 saal se zyada hai
yaha ke lg 10000 saalon tak jeete hain Ashley ki kundali me santan yog nahi tha unhone
kade tap se God ko khush kiya aur ek santan ki ichha jatai God ne unhe ek baby girl ka
aashirwaad diya aur iss tarah Alesandra ka janm hua

King Solomon:- thek hai putri tum jao par life protector pehen ke hi jana

Alesandra:- thanks pitaji fir apne dad ke gaal ko chum kar apni mom ko thenga dikhake
Alesandra apne kamre ki aur chali gayi apne kamre me jakar Alesandra ek shelf ke paas
gayiwaha se usne ek chota sa rolled kapda uthaya aur usse apne sine ke upar rakha dekhte
hi dekhte Alesandra ke sharir ke upar ek dress aa gayi jo ki royal lag rahi thi usne apni
aankhen band ki aur kaha "worlds of the warriors" aur wo gayab ho gayi

Wahi neeche

Ashley:- ye aapne kya kar diya usse akele jane ki permission de di kahi usse kuch ho gya
toh

King Solomon:- tum fikr mat karo main bhi uska pita hun jab tak life protector uske saath
hai use kuch nahi hoga waise bhi meri nazar hamesha uske upper rahegi

dusri taraf Asmodeus behosh padaa tha ussi wakth usse thodi door aasman mein ek teez
roshni hui aur ek jagah si khul gyi ye ek world door tha aur uske beech se ek bohat hi
khoobsurat ladki dheere dheere neeche utri ye ladki aur koi ni princess Alesandra hi thi

Asmodeus:- itne din baad koi apne pyaar se aise milta hai kya?

Alesandra:- pyar? pyar ki baat tum na hi karo toh thek hai Asmodeus iss shabd ka matlab
hi nahi jante tum

Asmodeus:- main matlab nahi janta ye acha hai tumne mera saath chhoda khudko aur
mujhko akela kar diya aur fir bhi mujhe jhutta bata rahi ho
Alesandra:- maine tumhe chhodapar kyu chhoda ye nahi bola tumne tumne galat rasta
chuna hai Asmodeus aur wo rasta tumhe mujhse bhi zyada pyara hai issliye hum alag hue
par maine socha tha ki ek na ek din tum badal jaoge issi planet me hum pehli baar mile
theyahi par hamare mohobbat ki shuruat hui thi par jab bhi main yaha ka haal dekhti hun
toh aisa lagta hai ki ye sab inke saath nahi tum mere saath kar rahe ho main intazar kar
rahi thi ki tum kab yaha aao yaha ke haalat dekho inki dard bhari cheekhen sunkar tumhe
apni galti ka ehsaas ho par main dekh rahi hun ki ab bhi kuch nahi badla tum aaj bhi utne
hi nirdayi ho kya haasil hota hai isse tumhe aur uspe pyar ka dawa karte ho koi bhi jo pyar
me vishwas rakhta hai aise kaam nahi karta ye kehte kehte Alesandra ki aankhon se aansu
nikal aaye

Asmodeus:- burai nafrat galti nirdayita gunah ye sab kya hain my fairy princess? ye sab
Asmodeus ke hi roop hain main sirf ek shaitan nahi hunmain shaitano ka raja hun
Asmodeus the devils king fir tum mujhse achai ki ummid kaise rakh sakti ho kya maine
kabhi tumhe devil banane koachai ka jispe tumhe itna yakin hai ya fir uss God pe jiske
aage tum jhukti hojo mujhe maarna chahta hai maine kabhi chhodne ko ya yakin naa
karne ko kahanahi naakyu ki tum mujhe aisi hi pasand hotoh tum kyu badalna chahti ho
mujhe

Alesandra:- bohat shakti shali samjhte hona tum khud ko itna shaktishali jo khud ko God
ke barabar rakhta hai tumhe lagta hai God tumhe maarna chahte hain kyu? Asmodeus
agar God tumhe maarna chahte toh ab tak tum zinda nahi rahte

Asmodeus:- hahaha tumne abhi tak sirf Asmodeus ki taaqat ke bare me suna hai
Alesandradekha nahi warna ye sab nahi kehti

Alesandra:- dekha toh maine God ki taqat bhi nahi hai Asmodeus aur naahi tumnewarna
tum ye nahi kehte khair jane do tumhare samjh me kuch nahi aayegaitna toh main jaan
hi chuki hun ab main koshish bhi nahi karungi bas kuch maangna chahti hun tumse de
paoge?

Asmodeus:- main toh tumhare kadmo me ye pura bramhaand rakh sakta hun Alesandra
par main janta hun tum kuch aisa mangogi jo shayad mere liye isse bhi mushkil hoga khair
pehli baar tumne kuch khwashish jatayi haibolo kya chahiye tumhe?

Alesandra:- Lord Crusedar aur yaha ke logon ki aazadi warriors world ke logon ki veeran
aankhon me Alesandra ki baat sun jaise achanak ek ummid ki chamak aa gayi Asmodeus
halki muskan ke saath tum ek shaitan se rehem ki ummid rakh rahi ho Alesandra Lord
Crusedar aur yaha ke logon ko toh abhi aur tadapna tha phir bhi sirf tumhare liye main in
sab ka azaad kar dunga magar meri ek shart hai Lord Crusedar aur waha ke sabhi log jo
apni azaadi ki baat sun khush ho gaye the Asmodeus ke mouh se shart shabd sun ek baar
fir sabki ummid tootne lagi

Alesandra:- abhi toh tum pure universe mere kadmo me rakhne ki baat kar rahe the aur
ab meri ek choti si khwahish pe bhi shart rakh rahe ho

Asmodeus:- tumhari har khwahish Asmodeus ke dil ke liye hukm hai jo har haal me puri
hogi par iss dimag ka kya karun iski bhi icchaye haijo puri karne ke liye main baadhya hun
Alesandra janti thi ki Asmodeus bina apni shart manwaye nahi maanega

Alesandra:- bolo kya shart hai?

Asmodeus:- meri shart Lord Crusedar puri kare ge Lord Crusedar achanak apna naam sun
hadbada gaye

Lord Crusedar:- mere paas hai hi kya? mera parivar kingdom sab kuch toh tumne chhin
liya

Asmodeus:- hahaha itna kuch ho jane ke baad bhi tum Asmodeus ko kam aank rahe ho
tum ye bhool rahe ho ki mujhse tum kuch bhi nahi chupa sakte Lord Crusedar ab bhi nahi
samjh paa rahe the ki Asmodeus unse kis cheez ke bare me baat kar raha hai naahi hi
Alesandra

Lord Crusedar:- mujhe sach me nahi pata ki tum kis bare me baat kar rahe ho?

Asmodeus:- hmmm koi baat nahi main bata deta hun "the Locket of Power" yaad hai wo
mujhe dedomain tum sabko azaad kar dunga Alesandra iske bare me kuch nahi janti thi
issliye wo normal hi rahi par Lord Crusedar ko zor ka jhatka laga Asmodeus ke zulm ki
wajah se unhe toh yaad hi nahi raha tha ki unke paas locket of power bhi hai

Alesandra:- ye locket of power kya hai?

Lord Crusedar:- mu mu mujhe nahi maalum ye kiske bare me baat kar raha hai

Asmodeus:- hahaha hame tumse issi jawab ki ummid thi tumhe kya laga ki itne waqt ke
baad main tumse tumhari tabiyat ka haal jaanne aaya hun bina koi natak kiye chup chap
locket mere haathon me dedomain tumhe aur tumhare planet ko azaad kar dunga warna
tum ache se jante ho Asmodeus dobara mouka nahi deta ek taraf Lord Crusedar dare hue
the toh dusri tarf Alesandra ko kuch samjh hi nahi aa raha tha
Alesandra:- koi mujhe batayega ki kis locket ke bare me baat ho rahi haiaur Lord Crusedar
aap ek locket ke liye mana kyu kar rahe hain jabki uske badle aapki aur pure planet ke
logon ki jaan bach sakti hai

Asmodeus:- main batata hun locket of power hai kya ye koi sadharan locket nahi hai ye
locket jiske paas bhi hota hai uske power ko double kar deta hai saalon pehle Lord
Crusedar ki bahaduri se khush hokar iss planet ke Defender ne Lord Crusedar ko wo locket
diya diya tha issi ki wajah se ye planet itna shaktishaali thakyu ki the locket of power naa
sirf usse dhaaran karne wale ki shakti badhata hai balki uske sahiyogion ki bhi tabhi yaha
ke waariors bhi kafi takatwar the

Alesandra:- agar wo locket sachme itna takatwar hai toh Lord Crusedar ki itni buri haalat
kaise ho gayi?

Asmodeus:- ha ha ha ha maine kaha tha na Alesandra ki tumhe abhi meri takat ka andaza
nahi hai uss jaise dus locket bhi agar Lord Crusedar ke paas ho tab bhi wo Asmodeus ko
nahi hara sakte aur waise bhi apne pariwar waalo ko apne aankhon ke saamne marte
dekhne ke baad khud Lord Crusedar ko bhi jeene ki koi iccha nahi bachi thi par dekhojitni
punishment jitna torture Lord Crusedar ko diya jaa chuka haiutna kisi ko bhi diya jata toh
wo kabka mar chuka hota par Lord Crusedar sirf kamzor hi hue hain agar aaj bhi sirf ek
din inhe punish naa kiya jaye toh ye pehle jaise ho jayenge wo locket Lord Crusedar ke kisi
kaam ka nahi par jab wo mere paas aayega toh socho kya hoga meri takaton ki koi seema
hi nahi rahegi main waise bhi mahashaktishali hun the locket of power milne ke baad ajay
ban jaunga Alesandra aur Lord Crusedar iss soch maatr se kaamp gaye the

Asmodeus:- main janta hun aap dono kya soch rahe hain par ab iss soch ka kuch kiya nahi
jaa sakta aur Alesandrais maamle se door rahna kyu ki main isme kuch nahi sunungaaur
Lord Crusedarwo locket abhi mujhe dijiye

Lord Crusedar:- main sach kehta hun mere paas koi aisa locket nahi hai

Alesandra:- haan ye sach hi toh keh rahe hain ye saalon se aise hi tumhare karagar me
pade hain agar inke paas koi aisa locket hota toh ab tak tumhare sipahiyon ko mil chuka
hota

Asmodeus:- wo locket iss waqt Lord Crusedar ke paas hi haiunke dil ke andar wo locket
tab hi bahar aayega jab uska maalik usse khud bahar aane ko kahega Lord Crusedar ye
sunke chonk gaye wo nahi jante the ki Asmodeus ko locket ke bare me itna kuch pata
hoga
Asmodeus:- zyada chonkiye mat Lord Crusedar maine pehle hi kaha tha ki Asmodeus se
kuch nahi chhupta laayiyelocket dijiye

Lord Crusedar:- main mar jaunga par wo locket tumhe kabhi nahi dunga

Asmodeus:- hmm chaliye pyar ki bhasha toh aap samjh nahi paye ab Asmodeus ki bhasha
suniye Asmodeus ne apna baayan haath saamne ki aur kar diya uske haath se tez bijli nikli
aur waha khade teen logon pe padiwo teeno ek pal me hi raakh ban gaye nahiii Alesandra
ke mouh se ek tez cheekh nikliLord Crusedar toh stabdh khade reh gaye

Alesandra:- tumhare andar zara bhi daya nahi hai kya Asmodeus in logon ne tumhara kya
bigada hai inke paas wo locket thodi na hai jo tum inhe maar rahe ho

Asmodeus:- janta hun Alesandra par ye bhi janta hun ki Lord Crusedar ko apni jaan ki fikr
nahi haipar apne praja ki toh hai naa Lord Crusedar ab marzi tumhari haiya toh wo locket
mujhe dedo ya phir in sabko marte hue dekho ye kehkar Asmodeus ne apni ungliyon ko
harkat diuske haathon me phir bijliyan dikhne lagi waha khade sabhi warriors world ke
logon ke aankhon me dehshat dikhne lagi aur saath me Alesandra ke ankhon me ek dar
aane laga Asmodeus ne apne haath saamne kiye hi tha ki rukk jaaoo ek awaaz aayi ye
awaaz thi Lord Crusedar ki jo apne ghutno par haare hue se baithe hue the

Lord Crusedar:- theek hai main tumhe wo locket dunga kripa karke mere logon ko baksh
do Lord Crusedar ne apne haath ko apne dil me rakh locket ka awaha kiya Lord Crusedar
ka haath jo dil ke upar tha wo chamakne laga jab chamak kam hui toh unke haath me the
locket of power tha par ab bhi locket kafi chamak raha tha iss locket me ek white colour
ka stone laga hua tha jisme se roshni nikal rahi thi Asmodeus ki aankhen locket ko dekh
kar chamak uthi Lord Crusedar ne apna locket wala haath Asmodeus ke aage kar diya
Asmodeus ne bhi apna haath aage kiya wo locket udta hua Asmodeus ke haath me aa
gaya par Asmodeus ke haath me aate hi wo locket ka stone safed se kaala ho gaya jise
dekhke Alesandra chonk gayi

Alesandra:- ye stone ka colour kaise change ho gaya?

Asmodeus:- iss locket ka stone apne maalik ki taakat ka pratik bhi hai Lord Crusedar achai
ke raste par the issliye ye safed thaab ye Asmodeus ki jaagir hai jo kaali shaktiyaon ka
maalik hai issliye ab iska colour kaala hai Asmodeus ne locket apne dil ke upar rakha locket
turant Asmodeus ke andar sama gaya Asmodeus ki aankhen band ho gayiwo hawa me
uthne laga charon taraf tez hawayen behne lagi badal garajne lage aisa lag raha tha jaise
maano abhi ye duniya khatam ho jayegi fir dheere dheere Asmodeus wapas niche utra
jaise hi Asmodeus ne aankhen kholimausam apne aap thek ho gaya Asmodeus ko apne
andar beshumar takat mehsoos ho rahi thi Asmodeus ne apna ek haath upar kiya aankhen
band ki aur mantra kaha punar nirmana bhava kuch hi palon me pura world of warriors
pehle jaisa ho gaya lag hi nahi raha tha ki yaha kabhi kuch tabahi hui thi kisi ko yakin hi
nahi ho raha tha ki aisa bhi ho sakta hai

Asmodeus:- Lord Crusedar jo maine aapse chhina hai wo toh main nahi louta sakta par
jitna kar sakta tha kar diya iska punar nirman toh maine kar diyapar isko pehle jaisa
shaktishali banana apka kaam hai ab aap nishchint rahen Asmodeus kabhi apko ya iss grah
ko nuksaan nahi pahunchayega Asmodeus ne apna haath aage kiya uske haath se nili
roshni nikli aur Lord Crusedar ke andar chali gayi dekhte hi dekhte Lord Crusedar wapas
pehle jaise swastha me aa gaye aur mazboot ho gaye

Asmodeus:- ab aapke sharir me utni hi taakat hai jitni iss locket ki wajah se thi apko apne
planet ko wapas shaktishali banene ke liye iski zaroorat padegi ab khush Alesandra jitna
tumne maanga thausse zyada hi de diya maine aur phir Asmodeus waha se gayab ho gaya
aur saath hi saare devils bhi Alesandra aur Lord Crusedar ab bhi stabdh khade the unhe
samjh nahi aa raha tha ki Asmodeus aakhir hai kya cheez kabhi itna burakar deta hai ki
achai par tak se bharosa uth jata hai toh kabhi lagta hai ki itna bhi bura nahi hai kuch der
tak dono aise hi khade rahe

Lord Crusedar:- shukriya princess iss awaaz ke saath hi Alesandra ki tantra tooti aapki
wajah se hi aaj ye planet aazad jo paya hai

Alesandra:- koi baat nahi Lord Crusedar maine kuch bhi nahi kiya acha mujhe ab ijazat de
Alesandra ab bhi thodi bechain si thi bina Lord Crusedar ki koi baat sune Alesandra ussi
world gate se wapas chali gayi

Wahi dusri taraf earth par "Menakshi mansion" yahi naam hai apne hero ke bunglow ka
jo ki mumbai me hai ye lagbhag 16 hazar s/f me faila ek shandar triplex buglow hai jisme
kul 10 bedrooms hain do halls hain ek ground floor par aur ek first floor par ground floor
par 3 bedrooms hain hall ka toh bata hi chuka hun ek chota sa mandir hai ek master
kitchen uske piche store room hai first floor pe bhi 3 bedrooms hain jisme se ek Vikram
ka hai jo ki ek master bedroom hai 2nd floor par char bedrooms hain jinme se do ko hi
bedrooms kaha ja sakta hai baaki ke do ka size thoda zyada hi bada hai ek gym ke liye
istemaal hota hai aur dusra Vikram & friends ke get together ke liyeaur ek indoor heated
swimming pool bhi hai 2nd floor pe ghar ke bahar lawn hai jiske beech me garden hai
bunglow ke left side me swimming pool hai lawn ke left side me servants quaters hain
bunglow ke right side se hokar ek underground garage hai bahar gate pe for security guard
hain pure bunglow me cctv laga hua hai jaisa ki maine bataya tha ki Jairaj ab ek succesfull
businessman ban chuke hain inki kul 12 cement ki factories hai jinke dealers lagbhag pure
desh me faile hue hain waisa toh inke lagbagh har bade shahar me office hain par sabse
bada office yahi mumbai me hi hai diamond market me bhi inki achi khasi shares padi hui
hai aur ab Jairaj real estate aur chain of hotels banane me bhi me bhi apna haath daalne
ka soch rahe hain ab ye sab kaise hua chaliye short me bata deta hun waise toh Jairaj
hamesha se hi ek businessman banana chahte the par dhenkanal project ke baad se hi
unki ye soch mazboot ho gayi agle 23 tenders lene ke baad Jairaj ke paas itna paisa ho
chuka tha ki wo apna koi chota sa business start kar sakte the unhone cement factory
daalne ki sochikyu ki iski unko achi khowledge thi ek chote se shahar me ek band cement
factory thi Jairaj ne usse kharid liya aur start kar diya kuch hi waqt me Jairaj ke dimag aur
mehnat se factory achi chalne lagi kafi munafa hone laga dekhte hi dekhte kuch saalon
me Jairaj ne desh bhar me kai cement factories khol di Jairaj ke kuch friends diamond ka
business karna chahte the par capital ki kami ki wajah se kar nahi paa rahe the Jairaj ne
unki madad karne ka waada kar diya Jairaj ke friends bhi swabhi mani the unhone Jairaj
se kaha ki wo ek hi shart pe Jairaj se paise lenge unki company me Jairaj ke bhi 25% shares
hamesha rahenge jo Jairaj jab chahe nikal sakte hain Jairaj maan gaye unke doston ka
diamond business bhi chal pada aur waade ke mutabik unki company me 25 % shares
Jairaj ke hainaur issi tarah aaj Jairaj itne bade mukam me hai par itne bade mukam par
pahunch ne ke bawajud Jairaj ek simple life jeete hain carodon rupay har saal unki
company ki taraf se Menakshi welfare & charitable trust jo ki unhi ka hi hai me jata hai
jahan zaroorat mando ki madat ki jati hai in sab me Jairaj ki wife Minu ne unka bohit saath
diya hai Minu ne Jairaj ke har faisle me unka na sirf support kiya balki khud involve hoke
unka saath bhi diya itne saalon me in dono ka pyar ek dusre ke liye aur gehra gaya hai

Wahi Jairaj aur Minu ne Vikram ko bhi bohat ache sanskar diye hain Vikram ek down to
earth ladka hai apne se bade har kisi ki respect karta hai ameer garib me koi fark nahi
karta shant swabhav ka hai waise toh Jairaj ne Vikram ko paise ki value karna bohat ache
se sikhaya hai par saath me ye bhi kaha hai ya ye kaha jaye order diya hai ki Vikram apni
zindagi khul ke jiye jo karna hai karepuri duniya ghume jis cheez par bhi Vikram haath rakh
deta hai Jairaj usse wo kharid deta hai bhale hi uss cheez ke keemat kitni bhi ho Jairaj ka
manana hai ki jo zindagi wo nahi jee paye wo unka beta jiyega apni bhi aur unki bhi vilram
zyada dost nahi banata par jinhe bhi banata hai unke saath kafi frank rehta hai chaliye
Vikram ke doston ka bhi intro de deta hun waise toh Vikram apne school ya yun kahu
bohat se schoolon me popular haikyu ki ek toh woh padhai me no ek hai kafi saari quiz
competition jeet chuka hai uske upar apne school ka star batsman hai dance kamal ka
karta hai 9th me yani ki pichle saal ka inter school level dance champion hai guitar bohat
acha baja leta hai jismani taqat toh usse God gift mili hai inshort Vikram apne umr ka
superstar haiaur sone pe suhaga super rich bhi hai toh aise ladke se kaun dosti nahi karna
chahega waise toh Vikram ke kafi dost hain par sabse close sirf do hi friends hai

Ronit Singh fathers name Harpreet Singh mothers name Kavita Singh

Anjali Ramnani fathers name Akash Ramnani mothers name Neha Ramnani

Harpreet Singh aur Akash Ramnani bussiness partners hain ye dono Jairaj ke dost hain ye
wahi dono hain jinki madad Jairaj ne diamonds ka business set karne ke liye ki thi aur ek
tarah se unka third partner bhi hai Harpreet Jairaj Akash ye teeno ek saath mumbai shift
hue the teeno ki wifes bhi ek dusre ki bohat achi friends hai teeno ke bache ek hi umar ke
hain issliye teeno ka admission inke parents ne ek saath ek hi school me kara diya tab
Vikram Anjali aur Ronit class 5th me the inke school ka naam hai Saint Joseph's school
bachpan ki dosto dheere dheere mazboot hoti gayi aur ab ye ek dusre ki jaan hain Ronit
bohat badmash hai actually Vikram bhi kam nahi hai dono milkar koi na koi khichdi pakate
hi rahte hai par kyu ki Vikram har cheez me aage hai issliye wo kabhi nahi fasta par Ronit
zaroor fas jata hai wahi dusri taraf Anjali ek simple aur beautiful si ladki hai Anjali padhai
me Vikram ke baad sabse aage hai aur saath me singing me bhi ab chalte hain story pe

ek ladka bed par soya hua hai masum sa chehra aisa lag raha hai pure duniya ki shanti
issike chehre par hai arre ye toh apna Vikram hai par ye kya iske chehre ke expressions
baar baar badal kyu rahe hain kabhi halki si smile toh kabhi maathe par shikan aisa kya
dekh raha hai ye chaliye pata karte hain Vikram filhal ek ajeeb se sapno ke bhawar me hai
jo do hisso me bata hua hai ek hisse me ek ladki hai jo garden me chal rahi hai aur uske
piche piche Vikram chal raha hai wo usse awaaz de raha hai par wo toh jaise sun hi nahi
rahi uske pairon ke payal ki awaaz Vikram ke kaano me sangit ki tarah baj rahe hain jise
Vikram neend me bhi muskura raha hai thoda aage jaakar wo ladki mudti hai Vikram ko
lagta hai ki ab saamne wale ka chehra dikhegapar ye kya sirf aankhe saamne wale ki sirf
aankhen hi dikh rahi hai baki pura chehra dhundla sa dikh raha hai Vikram un aankhon me
kho sa jata hai abhi aur kuch hota ki achanak drishya badal jata hai sapne ka dusra hissa
Vikram ki aankhon ke saamne hai puri duniya jal rahi hai log cheekh rahe hain chilla rahe
hai Vikram wahi moujud hai par kuch kar nahi paa raha hai saare log Vikram ke aage aakar
haath jod rahe hain madad ki guhar laga rahe hain par Vikram apne jagah se hil bhi nahi
paa raha hai jise Vikram ke maathe par neend me bhi shikan aa rahi hai achanak drishya
kaala padne lagta hai aur do safed putliyan Vikram ko apne saamne dikhti hai ye safed
putliyan aankhon ki thi wo itni badi thi ki suraj bhi unke peeche chhup jata hai Vikram ko
apni reed ki haddi me ek thandi leher si doudti lagti hai wo aankhen Vikram ke dheere
dheere kareeb aane lagti hain Vikram ko samjh nahi aa raha tha ki wo kare toh kare kya
wo aankhen Vikram ke ekdum kareeb pahunch jati hai Vikram bhi ektuk un aankhon me
dekhne lagta hai maano usse kisine hypnotize kar diya ho achanak wo aankhen laal hone
lagti hai aur unke beech ek aag ke lakir paida hone lagti hai Vikram thar thar kaampne
lagta hai isse aage kuch hota ki ek awaaz aati hai Vikram daro mat putra koi bhi tumhara
kuch nahi bigad sakta awaaz ke aate hi turant drishya band ho jata hai issi ke saath Vikram
ki aankhen khul jati hain main uth kar baith gaya mera pura sharir pasine se bhiga hua tha
sir me bhi halka halka dard thajo pehle kabhi nahi hua tha main aage aur sochta par usse
pehle hi alarm ne apna besura raag alaapna shuru kar diya time dekha toh 5 30 baj chuke
the ye mera roz ka schedule tha roz 5:30 ko uthkar fresh ho main jogging par jata tha
maine apna sar jhatka aur chal pada fresh hone fir track suit pehen kar niche hall me aa
gaya abhi tak koi jaaga nahi tha main bahar aagaya abhi garmi ke mausam ki shuruat ho
gayi thi issliye suraj maharaj hamse pehle hi uth chuke the maine ek zor ki angdai li aur
chal pada thodi door bane garden ki taraf jo ki hamare area ka common garden tha chalte
chalte mere dimag me wahi sapna ghum raha tha aisa sapna mujhe pehli baar aaya tha
mujhe uss ladki ki aankhen baar baar yaad aa rahi thi aur uss ke baad ka wo khaufnaak
manzar aur wo safed putliyon wali aankhen bhi fir wo aawaz jisne mera naam pukara
thaaakhir ye sab tha kya science kehta hai ki humari soch ka kuch hissa hamare dimag ke
piche wale hisse jise medulla oblaganta bhi kehte hain waha bas jata hai jise sapno ka
janm hota haipar maine toh kabhi aisa socha hi nahi phir bhi aisa sapna main ye sab sochte
sochte kab garden pohonch gaya pata hi nahi chala garden pahunchte hi maine apne
dimag ko jhatka aur chal pada jogging karne Vicky abhi ek round hi complete hua tha ki
mujhe kisi ne pukara par main ruka nahi

Ronit:- saale kabse aawaz dera hun behera ho gaya hai kya

Main:- saale jab janta hai main jogging karte waqt nahi rukta toh awaaz deta hi kyu hai

Ronit:- abbe thoda ruk jayega toh kaun si aafat aa jayegi

Main:- abbe aafat se yaad aaya Anjali kaha hai

Ronit:- oh teri tere chakkar me usse udhar hi chhod diya lagta hai abhi dono me se koi
kuch aur kehta usse pehli hi mere peeth me ek mukka pada mere hi nahi Ronit ko bhi
aahh ye awaz meri nahi Ronit ki thi hum dono hi ruk gaye palat kar dekha toh mouh fulaye
Anjali khadi thi aur hame ghur rahi thi

Ronit:- oye pagal ho gayi hai kya itne zor se kaun marta hai

Anjali:- main marti hun naa saale Vicky ko dekha nahi ki bhaag khada hua aur mujhe udhar
hi chhod diya aur tu kya bula raha tha mujhe aafat abhi batati hun aafat kya hoti hai

Main:- ruk jaa meri maa aur saans le ye aafat word bhi iss Ronit ka hai wo hamesha mere
saamne tujhe aafat hi bulata hai aaj maine bol diya ek taraf ye sunkar Anjali ka chehra
tamatar ki tarah laal ho gaya wahi dusri taraf Ronit ka chehra pila pad gaya ye inka
hamesha ka tha jab bhi Vikram kahi fasta tha toh Ronit ko aage kar deta tha

Ronit:- kasam se Anjali aisa kuch nahi hai ye saala khud ko bachane ke liye hum ko lada
raha hai

Main:- main lada raha hun acha beta baap se hoshiyari teri saari pol patti kholunga naa
tab tujhe samjh aayega ye sun Ronit ka chehra peele se kaala pad gaya bechara dono taraf
se fas gaya tha Ronit ko aisa dekhkar Anjali ka ghussa furr go gaya aur wo khilkhila ke hans
padi Anjali ko haste dekh Ronit ki jaan me jaan aayi

Anjali:- tum dono apni nautanki band karo aur mujhe bewakuf banane ki toh sochna bhi
mat main dheere se ab bewakuf ko bewakuf banane ki kya zaroorat

Anjali:- kya bola

Main:- kuch nahi bas bach gaye bol raha tha ab tum dono ka ho gaya ho toh jogging kare

Anjali:- haan toh maine kab mana kiya hai tum dono hi jab dekho matargashti me lag jaate
ho ye bolte bolte Anjali daudte hue aage badh gayi hum bhi uski baat pe haste hue uske
peeche peeche jogging karne lage acha maine aapko bataya nahi meri Ronit ki aur Anjali
ke bunglows pali hills me walking distance pe hi hai mera ghar pehle street par hai Ronit
ka dusre me aur Anjali ka third street me hai issliye hum teeno hi har din accept sunday
issi garden me jogging karne aate hai school wagahera bhi hum teeno saath hi jaate hain
hum jis garden me jogging karte hain wo kafi bada hai ek round hi lagbhag ek km jitna
bada hai Anjali aur Ronit toh do rounds lagate hi thak gaye aur jaakar ek bench par baith
gaye par main doudta raha jab 5 rounds khatam hue toh main bhi jaakar undono ke paas
baith gaya ye mere roz ka tha

Ronit:- saale mujhe samjh nahi aata ki tu ladka hai ki ghoda doudta hi chala jata hai
Anjali:- haan yaar aur abhi bhi tere thobde me koi thakan nahi dikh rahi hai ab main inhe
kya batata mujhe toh khud samjh nahi aata ki main aisa kyu hun mujhe thakan toh lagti
hai par bohat kam dus logon jitni mehnet toh main aaram se kar leta hun aur uske upar
mujhe kabhi bukhar nahi aata nahi zyada thand aur garam se koi fark padta hai chot bhi
mujhe badi muskil se lagti hai aur wo bhi jaldi thek ho jati hai

Main:- aisa kuch nahi hai wo kya hai naa tum dono thehere aalsi toh main toh tumhe
zyada fit lagunga hi naa

Ronit/Anjali:- kya kaha tune hum aalsi abhi bataate hain fir dono daud pade mere piche
mujhe pakadne thodi der main unhe doudata laga par jab maine dekha ki dono thak rahe
hain toh khudko unke hawale kar diya

Ronit:- ab bol kaun aalsi hai ye bolke dono ne mujhe maarna shuru kar diya

Main:- acha acha sorry maaf kardon mahatmao tum dono nahi main alsi hun ab khush

Anjali:- haan ab aaya na unt pahad ke niche

Main:- haan maate aap jeete main haara ab ghar chalen aaj waise bhi Ronit ka favourite
day hai Ronit ko ye sunke jaise hosh aaya

Ronit:- saalon tum dono mujhe marwaoge maine socha tha thodi der jogging karunga fir
ghar jaa ke ek ghanta revision karunga par tum dono ke chakkar me late ho gaya

Anjali:- koi naiwaise ek ghante me tu kya kar lega jab pure saal me kuch nahi kar paya

Main:- aur nahi toh kya zero ko kisi ke saath bhi multiply karanswer zero hi hota hai mere
ye bolte hi Anjali zor zor se hasne lagi aur saath me main bhi

Ronit:- hans lo saalo hans lo ek din mera bhi aayega tab bataunga

Main:- tab ki tab dekhenge abhi kya karega wo bata

Ronit:- yaar mera toh dimag hi fuse ho gaya hai samjh nahi aa raha hai kya karun Ronit ki
shakal roni si ho gayi thi mujhse zyada dekha nahi gaya

Main:- chal chal zyada ro mat ye lemaine apne track shirt ki jeb se ek folded paper nikala
aur Ronit ko de diya

Main:- isme kuch imp formulas hain aur kuch equations hain jo aa sakte hai aaj ke paper
me rat liyo paas ho jayega (ab tak toh aap samjh gaye honge ki aaj hamara maths ka paper
hai aur hamare Ronit bhai saab maths me sabse aage hai par peeche se)
Ronit:- thanks bhai tu mera sabse acha dost hai

Anjali:- kya bola aur main jo pichle ek mahine se tujhe maths padhaa rahi hun uska kya

Ronit:- arre tu naraz kyu hoti haitum dono hi meri jaan ho

Main:- apni jaan apne paas rakh aur paas hokar bas ek party de diyo samjha

Ronit:- saale matlabi insaan chal fir bhi thek haide dunga party tum dono bhi kya yaad
karoge ki kis dildaar se paala pada tha

Main:- saala nautanki fir kuch aur aise hi baatein hui thodi der baad ek dusre ko bye bolkar
hum apne apne ghar nikal gaye jab main ghar pahuncha toh saame hall pe mujhe Martha
aunty saaf safai karti hui dikhin (ye hamari ghar ki head maid hai dil ki bohat achi hain aur
mujhe apna beta manti hain)

Main:- good morning Martha aunty how are u this morning

Martha:- oh good morning Vicky Baba I’m absolutely fine hmm I must say fitness aur
discipline me aap bilkul aapke dad pe gaye hain

Main:- obvio aunty like father like son

Mom:- sirf discipline me nahi mera bacha har cheez main apne dad jaisa hai maine palat
kar dekha toh mom aa rahi thi

Main:- good morning mom

Mom:- good morning betaji

Main:- papa ke jaisa toh main hun waise mom ek baat puchun?

Mom:- haan beta ji pucho

Main:- aap aisa kya lagate ho jo aaj bhi itne young dikhte ho I mean seriously koi agar
hume saath me dekhega toh apko meri badi sister hi samjhega

Mom:- Martha maine kaha tha na ye bilkul apne dad jaisa hai beta ji aapka ye charm
mujhpe nahi chalega aise dialogues tere dad ke mouh se bohat sun chuki hun main

Main:- par mom dad ne apko apni badi sister kab bola tha? pehle toh mom samjhi nahi
par jab samjhi toh mere kaan pakad liye

Mom:- badmaash apni mom ki taang khinchta hai


Main:- aahh par mom mere haath toh ye rahe dekho main kaise apki taang khichunga
mom aur Martha dono meri baat par hans pade

Martha:- mam Vicky Baba bohat naughty hain aur witty bhi aap inse baaton me nahi jeet
sakte

Main:- haan wo toh hai maine mom ko ek tight hug kiya mom ne mera maatha chum liya

Mom:- toh beta ji aaj apka last paper hai jao tayar hokar jaldi se breakfast karne aa jao

Main:- ok mom fir main sidha apne room gaya shower leke uniform wagaira pehen ke
sidha neeche hall me aagaya dining table pe dad mom dono baithe the

Main:- good morning dad

Dad:- good morning champ so whats up? all set haan

Main:- yup dad I’m all ready

Dad:- aaj maths ka paper hai naa

Main:- yes dad aur aaj last paper hai fir holidaysss

Dad:- wow somebody iss very very excited chalo fir thek hai aap paper dekar aajao fir plan
banate hain ki vacations me kaha jana hai

Main:- u r the best dad Ronit aur Anjali se bhi bol dunga

Mom:- tu nahi bhi bolega toh wo kaun sa tujhe akele kahi jane denge

Dad:- haan bhai ye bhi hai tum ek kaam karna shaam me un dono ko bhi bula lena fir mil
kar decide kare ge

Main:- ok dad ab tak Martha aunty ne bhi nashta laga diya tha toh sab chup chap khane
lage mom ka ye rule tha ki khaate waqt koi baat nahi karega breakfast karke main mom
dad ko bye bol bahar nikal gaya main lawn pahuncha hi tha ki Ronit aur Anjali andar aate
dikhe main unki taraf hi chal diya

Main:- toh fir kuch samjh aaya

Ronit:- haan yaar thoda bohat toh dimag me ghusa hai ab dekhte hai kya hota hai

Anjali:- zyada tention na le pass ho jayega mera school mere ghar se kuch 8 km door tha
main Ronit aur Anjali car se ek saath school jaate the abhi hum baat hi kar rahe the ki
mujhe gate ke bahar ek sadhu Baba dikhe jo hamare security guard se baat kar rahe the
najane mera mann kyu unse baat karne ko hua

Main:- tum dono driver uncle se car nikalne ko kaho main ek min me aaya fir main sidha
un Baba ki taraf chal diya jab main unke paas pahuncha toh najane kyu mera mann unke
pair chune ko kiya maine unke pair chue

Baba:- chiran jeevi bhav nirbhaya bhava

Main:- Baba apko kuch chahiye tha Baba halki muskan ke saath

Baba:- haan putra mujhe tumhare mata pita se milna tha

Main:- mom dad se aap unhe jante hain

Baba:- bohat ache se

Ronit:- waha kya kar raha hai chal na late ho jayenge bhai

Main:- thek hai Baba aap jaaiye unhone mere sar par haath phera aur andar chal diye
main bhi unke piche piche apni car ke paas chal diya

Ronit:- saale hamesha late karwata hai waha kya ghaas chiil raha tha ek toh maths ka
paper hai uske upar tu idhar udhar ghum raha hai

Main:- ab late nahi ho raha hai kya aur apna mouh band rakha kar jab bhi kholta hai
manhoos baatein hi nikalti hai paper kaha se acha jayega tera Anjali meri iss baat pe zor
se hans di Ronit mouh banakar baith gaya fir kuch khaas nahi hua hum teeno apne school
ke liye nikal gaye mere jane ke baad mom dad apne room me the ki Martha aunty ne
aakar bataya ki koi milne aaya hai mom dad jab bahar aaye toh saamne wale ko dekhkar
shocked ho gaye aur khush bhi

Dad:- Guru dev aap ji haan ye aur koi nahi Baba Vishakht the mom dad dono ne Baba
Vishakht ke pair chue

Mom:- ham dhanya ho gaye Guru devjo aapke darshan hue par aapko hamara pata kaise
mila Baba Vishakht mom ki baat sun kar muskura diye

Baba Vishakht:- maine aapka pata khoya hi kab tha jo kuch dhundna padega aur waise bhi
aaj Jairaj iss samaj ke ek prasidh aur mananiya vyakti hain apka pata lagana bohat aasan
hai
Minu:- shama kare maharaj abhi tak aap khade hai aayiye bathi ye teeno jaakar sofe par
baith gaye

Mom:- kya lenge Guru dev naashte ka waqt hai main nashta lagati hun

Baba Vishakht:- uski aawashyakta nahi hai putri meri shudha (bhook) toh Vikram ko dekh
kar hi mit gayi

Dad:- ji Guru dev jaisa aapne kaha tha hamara putra bilkul waise hi hai Baba

Vishakht:- maine kuch aur bhi kaha tha wo yaad hai mom aur dad dono ne ek dusre ko
dekhafir saamne baithe Guru ji jo

Dad/Mom:- shama kare Guru dev par kaun si baat

Baba Vishakht:- yahi ki jab bhi sahi waqt aayega main aapse kuch manguga aur aapne
wada kiya tha ki aap denge

Dad/Mom:- haan hame yaad hai Guru dev bataiye kya chahiye aapko Baba

Vishakht:- mujhe kuch samay ke liye aapka putra chahiye dad ye sunke shocked ho gaye
aur mom ko toh laga ki Guru dev ne unse unki jaan hi maang li hai

Baba Vishakht:- ghabrao mat bacho mujhe Vikram kuch hi dino ke liye chahiye ye baat
sunkr mom aur dad ki saans me saans aayi

Dad:- kya main puch sakta hun Guru dev ki Vikram hi kyu

Baba Vishakht:- putra sab toh nahi par kuch baatein main bata deta hun tum jitna ajeeb
iss sansaar ko samjhte ho ye usse kai zyada ajeeb hai bhavishya me aisi bohat si cheeze
hongi jinse tumhare putra ki jaan ko khatra hoga aur yakin maano agar maine tumhare
putra ko uchit shiksha naa di toh uski mrityu nishchit hai wo shiksha yaha sabke saamne
khule me nahi di ja sakti issliye mujhe Vikram ko apne saath le jana hoga dad toh abhi bhi
soch rahe thr par mom ne jab se meri jaan ko khatra ho sakta hai ye suna tha unki haalat
kharab ho gayi thi

Baba Vishakht:- Minu putri tumhe ghabrane ki awashyakta nahi hai tumhara putra maha
shaktishali hai bas usse sahi margdarshan ki awashyakta hai usse mere saath bhej ne me
hi uska kalyan hai aage tum dono ki icha dad kuch der tak sochte rahe phir kuch faisla kar
bole
Dad:- Guru dev hamare liye hamare bache ki zindagi se badhkar aur kuch nahi agar aap
ke usse lejane se wo surakhit ho jayega toh mujhe koi dikkat nahi hai

Mom:- haan mujhe bhi nahi hai bas mera bacha thek rahe waise Guru dev aap Vikram ko
kab le jana chahte hain aur kab tak usse rakhenge

Baba Vishakht:- main Vikram ko do din baad lene aaunga Vikram 45 din mere saath rahega
fir main usse yahi chhod jaunga par iss baat ka dhayan rahe ki kisiko bhi ye na bataya jaye
ki Vikram kaha gaya hai

Dad:- thek hai Guru dev jaisi aapki icha Baba Vishakht ne fir mom dad se vida liya aur chale
gaye par mere mom dad ko gehri soch me chhod gaye

Dusri taraf ek planet jahan rohni aur jeevan ka naamo nishan tak nahi hai har taraf sirf
kaale gehre khai aur bade bade chattan achanak ek roshni si hoti hai aur ek world door
ban jata hai aur usse bahar aata hai ek kaala saaya jo dheere dheere ek badi si chattan ke
saamne aakar rukta hai wo kaala saaya apne ek haath ko aage kar deta hai uske haath se
ek tez roshni nikalti hai aur boomm chattan ke tukde tukde ho jaate hain par ye kya
chattan ke tuthte hi andar ek rasta sa ban jata hai ye koi gufa si lag rahi thi jise chattan se
dhaka gaya tha wo kaala saaya gufa ke andar chala jata hai andar bilkul andhera tha par
aisa lag raha tha jaise kaale saaye ko sab kuch saaf saaf dikh raha hai thodi der andar jane
ke baad kaala saya ruk jata hai apne dono haath failata hai aur kehta hai adrishya
shaktiyem drishyam bhava aur issi ke saath uske haath se kaale rays nikalkar har taraf jane
lagte hai dhamm aahhh wo gufa roshni se chamak uthta hai saamne koi diwal se takrakar
gir jata hai hua ye ki wo kaali rays ek jagah jakar ek invisible force se takrati hain wo force
sidha jaakar diwar se takrata hai aur fir dikhne lagta hai

Unknown:- Asmodeuss tu tu tu tum yaha kaise? (ji haan ye kaala saaya aur koi nahi
Asmodeus tha)

Asmodeus:- bohat ghumaya tumne yaar waise achi jagah hai ye Asmodeus se chupne ki
par hamesha ke liye chupa ja sake aisi koi jagah iss bramhaand me nahi hai Unknown ne
kuch energy balls banakar Asmodeus ke taraf phenke par sab bekar ho gaye

Asmodeus:- in sab ka koi fayeda nahi hoga aur abhi mere paas in choti moti cheezo par
waqt nahi hai barbaad karne ke liye Asmodeus ek jhatke me unknown ke paas pahunch
gaya aur uske sir par haath rakh kar mantra kaha sammohit bhava ek pili roshni Asmodeus
ke haath se nikal kar saamne wale ke andar chali gayi ab saamne wala chup chap khada
tha jaise usme jaan hi nahi hai
Asmodeus:- ab tum mere gulam ho jo main kahuga tum karoge Asmodeus ne uss
Unknown vyakti ko kuch aadesh diye

Unknown:- jo hukm mere maalik aur wo gayab ho gaya rah gaya Asmodeus aur uski
bhayanak hasi hahaha

Main Ronit aur Anjali car me baith kar school ke liye nikal gaye Ronit aur Anjali exam ke
bare me baat kar rahe the par mera dimag un Baba ke upar atka hua tha jinse main abhi
abhi mila tha pata nahi kyu par unki awaaz mujhe kahi suni hui lagi par kaha suni hai ye
yaad nahi aa raha tha Ronit ke hilane se mujhe jaise hosh aaya

Ronit:- saale kab se aawaz de raha hun baaju me baitha hai fir bhi sunai nahi dera tujhe
kaha khoya hua hai?

Anjali:- haan Vicky main bhi dekh rahi hun jabse hum ghar se nikle hain tum tabse hi kuch
soch rahe ho

Main:- arre kuch nahi yaar wo main paper ke bare me soch raha tha

Ronit:- kya bola tu paper ke bare me soch raha tha saale session ke start me hi tera pura
syllabus pura ho chuka tha saale har saal ka tera yahi rehta hai tere chakkar me mera baap
mujhe har din pelta hai ki Vicky ko dekhouske jaisa bano aur tu

Main:- bas kar mere baap galti ho gayi jo paper ke bare me soch liya ab toh paper likhte
waqt bhi bina soche likh dunga bas tu khaa mat mere aise bolne se dono main baat bhul
hi gaye aur hum teeno gappe marne me lag gaye waise toh main in dono se kabhi kuch
nahi chupata tha par ye baat batana mujhe sahi nahi laga ab batata bhi kya mujhe khud
kaha kuch pata tha halki fulki nok jhok karte karte kab hum school pohonch gaye pata hi
nahi chala

Driver:- Vicky Baba school aa gaya driver uncle ki baat se hamara dhayan bahar ki taraf
gaya hum school compound ke andar the kyu ki hamara board exam tha issliye koi
assembly nahi lagti thi hum sidhe paper dene pahunche mera aur Ronit ka section ek hi
tha Anjali ka dusri class me tha hum usse all the best bolke apni class ki aur chal diye chalte
chalte maine Ronit ki taraf dekha toh meri hasi chhut gayi uska chehra aisa ho rakha tha
jaise abhi heart attack aajayega

Ronit:- saale yaha meri fati padi hai aur tujhe hasi aa rahi hai par mera hasna aur badh
gaya
Ronit:- ab aur hasa na toh daant tod dunga fir dekhta hun kaise aata hai first maine badi
mushkil se apni hasi ko control kiya

Main:- acha Baba sorry aur tention na le tera paper acha hi jayega

Ronit:- kaash aisa hi ho aise hi baatein karte hue hamara class bhi aa gaya Ronit aur main
jaakar apni apni seats par baith gaye exam start hone ki bell baji aur hum saare students
shuru ho gaye chaapna maine ek baar Ronit ki taraf dekha jo aankhen band kar haath
jodkar upar wale ko yaad kar raha tha meri fir ek baar hasi chhut gayi par fir yaad aaya ki
main kaha baitha hun maine apna sir jhatka aur lag gaya paper solve karne ye toh aap
sabko pata hai ki main padhne me acha hun par shuru se aisa nahi tha mujhe school me
padhaya yaad toh sab ho jata tha par main revise nahi karta tha jiske chalte mere results
average hi aate the par mom ki ek baar daant padi aur maine revise karna shuru kiya aur
result aisa aaya ki fir main jo bhi karta usme kadi practice karta aur issi tarah main lagbhag
aur cheez main champion ban gaya yaha exam hall me pure 3 ghanton ki chapai ke baad
finally hamara exam khatam hue mera paper toh maine ek 30 hrs me hi complete kar li
thi par main baitha raha final bell baji aur ek zor ki hooting charo taraf se hui ye saare
students the jo shor kar rahe the ab apko toh pata hi hoga ko jab10th ka final exam khatam
hota hai toh kaisa lagta hai main bhi bohat khush tha main class se bahar aaya toh Ronit
khada tha wo bhi ekdum khush mere bahar aate hi saala mere upar kud gaya

Main:- abbe hat saale main waisa nahi hun

Ronit:- chup be aur thanks yaar tume jo jo equations bataye the wohi aaye meri toh fatt
rahi thi ki saala najane kya hoga par ab toh aaram se clear ho jaunga yahooo saala itni zor
se chillaya ki sab hame hi dekhne lage par bhaad me jaye saale apne ko kya lena dena
kisise main aur Ronit fir masti karte hue bahar cafeteria ki taraf aa gaye jahan Anjali kuch
ladkiyon ke saath khadi thi hume dekhte hi unko bye bolkar Anjali hamare paas aa gayi

Anjali:- kyu be rotlu bada khush dikh raha hai

Ronit:- aaj jo bolna hai bolde aaj sab maaf hai aaj main bohat khush hun

Anjali:- hmm matlab paas hojayega

Ronit:- bilkul bhale hi kitni bhi hard checking ho apun toh nikal jayega Baba

Main:- waah ab bana tu pakka mumbaiya chal phir bidu issich khushi me apun dono ko ek
ek coldrink pila dal

Ronit:- ek kay bidu 10 coldrink khalaas kar daal pura bill apun dega
Anjali:- eww ye kis language me baat kar rahe ho mujhe nahi karni party tum logon ke
saath

Ronit:- aisa kya chal fir tu wantaas ki goli le

Anjali:- kya bola?

Main:- arre kuch nahi meri maa chal naa canteen chal fir hum teeno canteen ki aur badh
gaye

Anjali:- yaar ye canteen toh bhara pada hai

Main:- Anjali Ronit tum dono seat ka jugad karo main coldrinks lekar aata hun

Ronit:- aaye aaye captain

Anjali:- bas kar nautanki aur chal koi seat dekhte hain

Ronit:- haan tu sirf dekhna main baith jaunga

Main:- main bhi inki noutanki dekhna chhod haste hue coldrinks lene chala gaya bheed
bohat thi toh coldrinks lene me mujhe kuch waqt laga jab main wapas aaya toh dekha ki
cafeteria khali pada hai mujhe thoda shock laga nazar ghumain toh dekha ki saare
students ek jagah gher ke khade hain main bhi udhar chal pada side se jagah banaate hue
jab main aage pahuncha toh jo nazara mere saamne aaya usse dekh kar mera dimag
kharab ho gaya mere jabde bhich gaye aankhen laal hoga yi Anjali niche baithi hui thi wo
bhi sir se bhigi hui aur Ronit niche gira hua tha uske hont fat gaye the aur halka halka khun
nikal raha tha Anjali ussi ke paas baithi ro rahi thi dono ke piche 5 ladke khade the jo hans
rahe the aur ek saamne khada tha jo apni ungliyon me chaabi ghuma raha tha

Ladka 1:- ab bol saale kya bol raha tha abbe ch*******ya aahh aur chakkar khake wo
ladka gir pada uska sar fat gaya tha mera sabr jawab de chuka tha abhi aage wo kuch bolta
usse pehle hi mera haath chala aur coldrink ki bottle uske sar par lagi aur wo zamin pe tha
mere haath me tuti hui coldrink padi hui thi waha jitne students khade the dar gaye Anjali
ne jab mujhe dekha toh aakar mere gale lag gayi aur rone lagi uss ladke ke jo 5 dost khade
the wo bhi thoda dar gaye thepar fir unme se ek bola

Ladka 2:- abbe pagal ho gaya hai kya saale tujhe toh main chataakk ek thapad aur banda
zamin pe aur behosh abhi baaki ke bache 3 kuch samjh paate ki maine ek ko laath maari
aur do ki gardan pakad li aur utha diya Ronit aur Anjali dono meri taakat dekhkar shocked
ho gaye shocked toh khair waha khade sabhi ho gaye the Ronit jo abhi tak chup chap
waise hi baitha tha usme jaise josh bhar gaya

Ronit:- maar saale ko Vj maar kisi ko chhodna mat jise maine laath mari thi wo toh sidhe
jaakar ek diwar se takraya uski pasli chatak gayi ab wo uthne ki haalat me nahi tha wahi
jin do ko maine uthaya tha unhe saans lene me bhi problem ho rahi thi maine dono ko
table par patak diya dono ki haalat kharab ho gayi phir bhi maine ek ko uthaya aur ek
thappad lagaya ye mere power se bohat kam force ka thappad tha zor se maarta so saala
nipat hi jata

Main:- saale teri itni himmat ki mere dost par haath uthaye haan beta aaj chalkar toh tu
ghar nahi jayega bata saale kyu maara tha mere dost ko

Ronit:- main batata hun yaar hum log idhar table dhundne aaye toh in logon ne Anjali ko
dekh kar uspe ganda comment kiya saala mera dimag ghum gaya diya ek ke kaan ke niche
par ye zyada the issliye saalon ne pakad liya aur peet diya mujhe

Main:- Anjali tum bhigi kaise

Anjali:- inme se ek ne Ronit ko thappad mara main jab usko maarne gayi toh mera haath
pakad ke mere upar paani daal diya mera dimag aur ghum gaya

Main:- kyu be ladki pe paani dalega tu ruk saale aaj tujhe duba duba ke dhounga uss ladke
ki toh waise hi fati padi thi maine jab usse jhinjoda yoh saala aur dar gaya

Ladka 3:- bhai maine paani nahi daala

Main:- saale jhut bolta hai

Anjali:- nahi Vicky ye nahi tha na hi inme se koi pata nahi kaha gaya hum yaha hain awaaz
sunke hum palte do dekha ek ladka kamar me haath rakh hame ghoor raha hai uske saath
kuch 78 ladke aur bhi the matlab yahi tha un ka leader bande ki personality lagbhag meri
jaise hi thi bas hight me thoda bada tha mujhse

Leader:- main ek call attend karne bahar kya gaya yaha toh kaand ho gaya uss ladke ko
dekhkar jis ladke ko maine pakda hua tha usme josh aa gaya

Ladka 3:- haan bhai ye saala bohat uchak raha hai apne saare ladko ko isne peet diya
maine uss ladke ko uthaya aur ussi leader ke taraf fek diya wo udta hua gaya aur uss leader
ke pair me gira uss leader ne kuch ishara kiya toh uske piche ke saare bande mere upar
jhapte par sirf ek Minute me hi saare zamin par the Ronit aur Anjali toh mera ye roop
pehli baar dekh rahe the unke liye toh jaise wo kisi aur ko hi dekh rahe the yahi haal baaki
students ka bhi tha ab school me meri image ek simple se ladke ki thi toh jhatka toh banta
hi hai naa thoda shocked toh unka leader bhi tha par phir uske chehre par ek muskaan aa
gayi wo chalte hue mere saamne aaya aur khada ho gaya hum dono hi ek dusre ko ghoor
rahe the achanak usne mujhe dhakka diya ye usne bohat tezi se kiya tha mujhe chhod kisi
aur ko toh uska haath dikha tak nahi main bhi ladkhada kar thoda piche hat gaya par gira
nahi mujhe naa girte dekh wo thoda zyada shocked ho gaya shocked toh main bhi tha kyu
ki mujhe piche dhakka de dena aasan nahi tha par uski iss harkat se mera dimag kharab
hone laga main uske paas gaya aur uski hi speed se maine usse dhaka de diya wo bhi
thoda ladkhada kar peeche ho gaya hum dono ek dusre ko ghur rahe the maine apni muthi
bhichi aur puri takat se ghuma di ussi waqt usne bhi waisa hi kiya ham dono ke mukke
takraye dekhne walon ko toh pata nahi chala par mukko ke takrate hi mujhe mere andar
ek current doudta hua sa laga main chitak kar door gir gaya mera haath bohat dard kar
raha tha maine saamne dekha toh uss leader ki bhi same haalat thi haath pakde gira hua
tha aur aankhen hairat se dubi hui thi usne apne chamcho ko ishara kiya woh sabhi ek
saath mujhpe toot pade par ab tak main sambhal chuka tha maine bhi unki dhulai shuru
kar di par sabko dheere se hi mara nahi toh saala koi tapak jata toh ek alag lafda ho jata
abhi tak jo bhi hua tha waha khade sabhi ne dekha tha aur sabhi stabdh khade the mere
dono dost bhi unke liye toh main main naa hokar koi aur hi ban chuka tha abhi main un
sab ladko ko peet hi raha tha ki wahi par khade kisike haath par ek adrishya aag ka gola
dikhne laga jise usne meri taraf fek diya ye karnama aur kisi ne nahi ussi leader ne kiya
tha wo aag ka gola tezi se meri aur lapka par mujh tak pahunchte hi uska asar khatam ho
gaya wo leader iss baar kuch zyada hi shocked ho gaya

Idhar maine bhi sab ko dho daala tha kisi ka haath tuta tha kisi ka pair koi ulta pada tha
maine idhar udhar nazar ghumain toh unka leader mujhe kuch door pe khada dikha main
uske paas jane hi wala tha ki ek admi aaya ye wahi invigilator the jo aaj humare paper ke
time hamari claas me the

Sir:- ye kya ho raha hai yaha ye cafeteria kisne tod diya aur in ladkon ki ye haalat kisne ki
sabhi ne meri taraf ishara kar diya

Sir:- tum apne aap ko samjhte kya ho? gunda gardi karne aate ho school ke padhne

Ronit:- ek Minute sir bina asli baat jane aap kaise kuch bol sakte hain aur tum loginhone
pucha aur tumne ungli dikha di puri baat kaun batayega haan
Sir:- main tumse baat nahi kar raha hun ek toh yaha tod fod kar di isne aur upar se tum
behes kar rahe ho Anjali bhi ab bhadak gayi thi ye dono aise hi the agar koi mujhse kuch
keh de toh ye uspe chhad jaate the

Anjali:- aap bol hi kyu rahe hain sir aur ek baat bataiye aap hamare school ke teacher hain
kya aapko iss cafeteria se kya lena dena aur uske upar bina kuch jane suna rahe hain fir
Anjali ne kya kya hua tha wo sab bata diya ab tak hamare Principal sir bhi aa chuke the
aur saari baatein bhi sun li thi Principal sir mujhse bohat pyar karte the kare bhi kyu naa
maine school ko itni trophies jo jeetwai hain

Principal:- Vijay sir (Invigilator) jise aap gunda keh rahe hain uska naam hai Vikram Jairaj
Singh kuch yaad aaya Vijay sir mera naam sun kar shocked ho gaye

Principal:- ji haan aap sahi samjhe he iss the brightest student in the history of our school
jiska example aapke school ke Principal bhi aapke students ko diya karte hain jise aap
mujhe milwane ke kiye keh rahe the he iss the one

Vijay sir:- sorry sir I misjudged the whole situation Vikram I’m really sorry for my
behaviour

Main:- no sir please dont say that it doesn't matter if u teach in our school or not a teacher
is a teacher doesn't matter what the cirlove water stances are hamari galti ho ya naa ho
aapko hume daantne ka hak hai Anjali thats not the way to talk to a teacher say sorry

Anjali:- I’m really sorry sir mujhe aapse aise baat nahi karni chahiye thi

Vijay sir:- no no its ok waise bhi jo inhone tumhare saath kiya toh punishment toh inhe
milni hi chahiye thi

Principal:- haan par ye tarika sahi nahi tha Vikram tumse aisi ummid nahi thi tum mujhse
aakar complaint bhi kar sakte the

Vikram:- sorry sir par main kya karta yaha situation hi aisi ho gayi thi Anjali ke upar paani
daala gaya tha Ronit ko thappad maara gaya tha mujhse raha nahi gaya

Principal:- samjh sakta hun Vikram par ek baat hamesha yaad rakhna anger iss the direct
way to self destruction koi bhi faisla thande dimag se karna chahiye wo leader abhi bhi
wahi khada tha aur chupchap sab sun raha tha par uski aankhen mere upar par tiki thi
jinme mere liye ajeeb se bhaav the
Principal:- arre ek min ye sab students toh iss school ke nahi hain ye yaha kar kya rahe
hain chandu call Police immediately uski koi zaroorat nahi hai sir ye awaaz thi ussi leader
ki jo chalte hue hamari taraf hi aa raha tha

Ronit:- sir yahi hai inka leader issi ne sab start kiya tha

Principal:- who the hell are you? tumhe iss school ke andar kisne aane diya aur hamare
school me aakar hamare students se hi fight karte ho

Leader:- sir ji bohat suna tha aapke school ke hariyali ke bare me toh aa gaye aur kaise aa
gaye mat sochiye kyu ki Digvijay Singh Bagga ko koi nahi rok sakta mujhe ghussa toh bohat
aaya par sir ki wajah se chup khada raha

Principal:- ye kis tone me baat kar rahe ho tum manners kaha hain tumhare now I have
to call the cops

Digvijay:- usse koi fayeda nahi hoga sir aap mere dad ko nahi jante Balbeer Singh Bagga
naam toh suna hi hoga yaha ke mp hain wo Police hamara kuch bigad nahi sakti chaliye
ab chalta hun aap chaahen toh Police ko mera aur mere dad ka naam bata dijiyega dekhte
hain kya hota hai fir wo meri taraf muda toh Vikram haan chal aaj toh tu bach gaya par ye
hamari aakhri mulakat nahi hai hum fir milenge intazar karna

Main:- intezaar rahega main sir ki wajah se zyada toh nahi bol sakta tha wo nikal gaya

Principal:- Vikram beta ho sake toh apne dad se ye incident share mat karna warna wo
action lenge isse hamare school ki badnami hogi

Main:- dont worry sir main dad se kuch nahi kahunga

Vijay sir:- I must say Vikram you have a golden heart bas apni saadgi kabhi mat khona yahi
tumhe baakiyon se alag banati hai

Main:- sure sirI’ll keep that in mind

Principal:- ok than lads we have to go saal bhar padhai ki hai aap logon ne now enjoy your
vacations

Teeno ek saath:- we will sir fir hum teeno bahar ki taraf nikal gaye par Ronit abhi bhi
ghusse me tha

Main:- ab tujhe kya hua


Ronit:- chup be kya zaroorat thi bolne ki ki uncle ko nahi batayega uss saale Digvijay ko
bada ghamand hai apne baap pe ek baar uncle ko pata chalega na toh saale ki post hi nahi
rahegi

Main:- oye uske dad ke bare me toh kamsekam tamiz se bol bade hain humse aur ek
designated position me bhi hain aur rahi baat dad ko na batane ki toh wo main waise bhi
nahi karta chhod naa yaar baat badhaake kya fayda ab apna mood thek kar chal tum dono
ko ek good news deta hun

Ronit:- nahi sunani teri koi news

Main:- acha Anjali isse chhodtu sun dad bol rahe the ki hum koi jagah final kare vacation
me jane ke liye

Anjali:- sachh

Ronit:- kya baat bol di bhai tune maza aagaya

Main:- abbe tujhe toh interest nahi tha naa

Ronit:- arre bhai tu jo janta hai main kitna joki hun

Main:- nahi main bas ye janta hun ki tu kitna bada gadha hai ab tak hum bahar aa gaye
the jahan hamari car khadi thi

Ronit:- saale ruk tujhe batata hun main bhag kar car me baith gaya aur mere piche piche
dono bhi aa gaye fir aise hi masti karte karte aur vacations me kaha jana hai iska plan
banate banate hum ghar ki taraf nikal pade ab mujhe kya pata tha ki idhar mom dad ne
mere liya kuch aur hi surprise ready rakha hai jise meri zindagi hi badal jateyegi

Dusri taraf Monslickel planet

Asmodeus:- Beelzebub ek dhua hua aur apna sir jhukaye ek devil Asmodeus ke saamne
khada tha (Beelzebub Asmodeus ka sabse khatarnak devil iske andar har tarah ke black
magic ki taaqat hai aur saath saath iski speed light ki speed se bhi zyada hai iske zyadatar
spells jaan leva hote hain)

Beelzebub:- hi hail Devil's King

Asmodeus:- main kuch waqt ke liye dhayan lagane ke liye cross world jaa raha hun jab tak
main nahi louthta sab kuch tumhare aadesh par chalega
Beelzebub:- aapne mujhe iss layak samjha mere liye yahi bohat hai Beelzebub ko aadesh
dekar Asmodeus gayab ho gaya dusri taraf the world of warriors me Lord Crusedar apne
Singhasan par baithe the ab iss pure planet ka bas ek hi raja tha aur wo the Lord Crusedar
iss waqt Lord Crusedar apne senapati se kuch baat kar rahe the ki achanak unke darbaar
ke beech me ek world door khula aur koi bahar aaya jise dekh kar sabhi chonk gaye

Lord Crusedar:- aap pehle toh saamne wale ko dekh Lord Crusedar ek jhatke me khade ho
gaye par fir apne ghutno par baith jhuk gaye sirf woh hi nahi darbaar me moujud har saksh
apne ghutno par jhuk gaya jhukte kyu nahi aaj najane kitne arse ke baad unke saamne
unke grah ka Defender jo khada tha

Defender:- uth jaiye Lord Crusedar aur Lord Crusedar khade ho gaye aur unhi ke saath
baki ke darbaari bhi

Lord Crusedar:- Defender aap hume chhod kar kaha chale gaye the aap nahi jante aapke
jane ke baad yaha hamare saath kya kya hua mere pure parivar ko Asmodeus ne marwa
diya iss pure planet pe kabza kar liya tha usne ye bolte bolte Lord Crusedar ki aankhon me
aansu aa gaye

Defender:- main sab janta hun Lord Crusedar par main bhi majboor tha mujhe aadesh
mile the ki main yaha se door chala jaun warna ye planet hi nasht ho jayega janta hun aap
sab logon ne bohat taklifen jheli hain par yakin maniye agar main yaha rehta toh jo aaj
bacha hai wo bhi nahi rehta

Lord Crusedar:- agar aap keh reh hain toh thek hi hoga waise bhi jo ho chuka hai usse
badla toh nahi jaa sakta bas apne bhavishya ko hi sawara jaa sakta hai maine toh apna
sab kuch kho diya bas ye grah hi bacha haiaur main raja hun toh apne kartavya se mouh
bhi nahi mod sakta par Defender ab toh mere paas the locket of power bhi nahi
haiAsmodeus usse le gaya ab hum pehle ko tarah takatwar nahi rahe aap hame ek aur
locket de dijiye

Defender:- main janta hun Lord Crusedar ki Asmodeus the locket of power le gaya par
main aapko abhi aisi koi power nahi de sakta

Lord Crusedar:- par kyu Defender pehle bhi toh aapne hi diya tha

Defender:- haan diya tha par aap bhul rahe hain ki har Defender ki taakat uske grah ki
taakat se judi hoti hai aur abhi hamara grah kamzor haiisilye main kamzor hun aise me koi
bhi power main apko ya kisi ko kaise de sakta hun
Lord Crusedar:- fir hum kaise pehle jaise takatwar banenge Defender?

Defender:- Lord Crusedar main dekh raha hun ki Asmodeus ne sirf aapke logon ko hi nahi
maara balki apke aatmvishwas ko bhi maar diya hai kya locket of power aapke paas shuru
se tha nahi naa wo locket toh aapki bahaduri aur doordrishti se prabhavit hokar maine
aapko diya tha aapko shaktishali hone ki zaroorat nahi haiaap pehle se hi shaktishali hain
bas apni takat ko apne andar se bahar nikalna hai ab aap iss pure grah ke akele raja hai
toh aap ki soch koapki talwar ki dhaar ko pehle se 100 guna zyada tez hona hoga ye mat
bhuliye ki aaj bhi aap iss bramhand ke sabse takatwar planets me se ek hain Defender ki
baat sunkar Lord Crusedar aur waha moujud sabhi me josh aa gaya

Lord Crusedar:- Defender aapki baaton ne hamare andar soye takat ko aaj phir jaga diya
hai hum apne aap ko pehle ki tarah shaktishali bana kar hi rahenge par agar Asmodeus ne
phir humla kar diya toh kya aap fir hume chhod kar chale jayenge Asmodeus ke fir se
humle ki baat sunkar sabhi ke manobal phir se tutne lage wo sab jante the ki woh kisi bhi
grah tak ko hara sakte hain par Asmodeus ke saamne wo ek pal bhi nahi tikenge

Defender:- nahi aisa nahi hoga Asmodeus ab dobara kabhi humpe hamla nahi karega usse
aapse jo chahiye tha wo mil chuka hai par iska ye matlab nahi ki ab koi khatra nahi hai iss
bramhaand me aise kai jeev hai log hain jo hamare planet par aana chahegekyu ki hamare
planet me aaj bhi bohat se shakti shroth moujud hain jo wo paana chahege issliye aaj se
kisi bhi grah ke logon ka aana hamare grah pe varjit hoga

Lord Crusedar:- par Defender isla grah toh hamara mitr hai ussi grah ki rajkumari
Alesandra ne hame azaad karwaya hai

Defender:- aap ye bhool rahe hai Lord Crusedar ki Alesandra koun hai Asmodeus ka pyar
aur koi bhi cheez jo Asmodeus ke karib ho usse door rehna hi hamare liye uchit hoga

Senapati:- Lord Crusedar Defender sahi keh rahe hai maana Alesandra ne hame aazad
karwaya hai par hain toh wo Asmodeus ki karibi hi hume unse door rahna chahiye

Sabhi darbaari:- haan hum bhi Defender se sehmat hain

Lord Crusedar:- thek hai jaisa apko uchit lage Defender ne apne haath failaye aur kaha
sampurna suraksha kawach prakatam Defender ke dono haathon se nili roshniyan nikli jo
har taraf failne lagi aur kuch der baad gayab ho gayin

Defender:- ab hamara grah surakshit hai ab koi world door ke dwara bhi hamare planet
me pravesh nahi kar payega Lord Crusedar aap mantrigan aur senapati ke saath milkar
isse pehle ki tarah sashakt banane ki yojnayen banaye aapko kabhi bhi meri aawashyakta
mehsoos ho toh mere naam ka dhayan kijiyega main aa jaunga

Lord Crusedar:- jo aagya Defender fir Defender gayab ho gaye Lord Crusedar senapati ke
saath fir vichar vimarsh me busy ho gaye

Back to hero:

hum teeno meri car me baith ghar ki aur nikal pade

Main:- abbe ek baat bata ladhai ke waqt tune mujhe kya kehkar bulaya tha haan Vj ye
naamkaran mera kab hua

Anjali:- haan maine bhi suna tha par uss waqt situation aisi thi ki mere dimag se nikal gaya

Ronit:- arre yaar ye naam toh mere dimag me kab se tha tere liye hamesha sochta tha
batunga tum dono ko par bhul jata tha acha batao kaisa laga naam Vj cool hai naa abhi
main kuch kehta ki mujhse pehle Anjali bol padi

Anjali:- haan bohat acha hai claasy bhi lagta hai toh fir done aaj se hum dono tujhe issi
naam se pukare ge ab main kya kehta faisla toh dono maharathi yon ne kar hi liya tha
main bas sir hila ke rah gaya baton baton me kab ghar aa gaya pata hi nahi chala main car
se utara hi tha ki

Ronit:- abbe sun hamne jahan vacations me jane ka decide kiya hai uncle aunty ko abhi
mat batana hum dono shaam ko aayenge fir mil kar batayenge

Main:- chalo thek hai fir shaam ko wait karunga chalo bye Ronit aur Anjali nikal gaye main
bhi andar ki taraf chal pada andar aaya toh dekha dad aur mom dono sofe par baithkar
kuch baat kar rahe the

Main:- hi dad hi mom whats up dad aaj aap office nahi gaye

Dad:- aa gaya mera sher haan beta aaj zyada kuch kaam nahi tha toh ruk gaya

Main:- dad aap naa beech beech me aise hi off le liya karo mom yaha akeli reh jati hai
meri iss baat pe dad hans diye wahi mom ne mera maatha chum liya

Mom:- dekha ji mere bete ko meri kitni fikr hai

Dad:- hmm dekh raha hun hamara beta waqt se pehle hi mature ho gaya hai ab toh lagta
hai mujhe retirement le leni chahiye beta tumhare papers bhi khatam ho gaye hain tum
kal se office aana shuru kardo toh mujhe bhi chutti mile
Mom:- bade aaye retirement wale abhi mere bache ne thek se duniya bhi nahi dekhi aur
aap isse kaam pe lagana chahte ho mera bacha kahi nahi jayega aap bhagiye office

Dad:- arre yaar main toh mazak kar raha tha ye chahega toh bhi main isse office aane nahi
dunga abhi toh isse apni aur meri dono ki zindagi jeeni hai

Main:- I love you dad I love u mom

Mom/Dad:- we love you too son

Dad:- acha beta aapse kuch baat karni thi aap fresh ho jao fir lunch ke baad baat karte
hain

Main:- ok dad fir main apne room gaya fresh hokar niche aaya humne lunch kiya fir main
mom aur dad wahi hall pe sofe par baith gaye

Dad:- beta wo jo maine tumhe vacations me ghoomne jane ke liye kaha tha naa

Main:- dad uske bare me shaam ko batata hun naa wo actually Ronit aur Anjali dono
shaam ko aayenge fir hum teeno milkar aapko batayenge

Dad:- beta puri baat to sunlo baat ye hai ki abhi filhal tum vacations ke liye nahi jaa sakte
main thoda chonka kyu ki first time tha jab hamare vacations ka plan cancel ho raha tha

Main:- kya hua dad any problem

Mom:- beta actually tumhe ek mahine ke liye kahi jana hai

Main:- ek mahine ke liye lekin kahan?

Dad:- beta aaj tumhare school jane ke baad ghar par hamare Guru ji aaye the

Main:- haan dad maine unse mila tha wo gate ke bahar hi khade the maine hi unhe andar
aap se milne bheja tha par pehle kabhi maine unhe dekha nahi aap dono unhe kaise jante
hain

Mom:- beta hum unse pehli baar tumhare naamkaran ke din mile the unhone hi tumhara
naam rakha tha jab hamne unhe dakhshina dene ki baat ki thi toh unhone kaha tha ki wo
sahi waqt par maang lenge uss din ke baad wo sidhe aaj aaye hain aur apni dakhshina
mangi jisme wo tumhe ek mahine ke liye apne saath le jana chahte hain

Main:- hmm strange kaha le jana chahte hain wo mujhe mom

Mom:- wo tumhe kuch sikhana chahte hain kya ye unhone hame nahi bataya
Main:- thek hai mom dad main chala jaunga mera ye chota aur sidha sa jawab sunkar
mom dad shocked ho gaye

Dad:- beta tumne ek bhi sawal nahi kiya ki wo tumhe kya sikhana chahte hain kaha lekar
jayenge tumhe kitne din rukna padega kya tumhare mann main koi sawal nahi hai

Main:- sach kahu dad toh haan sawal toh bohat hai par usse pehle baat apki aur mom ki
commitment ki hai jo aapne Guru ji se kiya hai aur aap dono koi wada karo aur wo pura
na ho aisa main kaise hone de sakta hun aur waise bhi aap mera nuksaan thodi naa
chahoge isme bhi mera hi faida hoga mom/dad meri baaton se kafi emotional ho gaye aur
mujhe gale laga liya

Dad:- ab main nishchint hun pata hai beta aaj tum jo itni suljhi hui baatein kar rahe ho
tum aise hi rahoge iske bare me Guru ji ne tumhare naam karan me hi bata diya tha aaj
tak unki batayi baat kabhi galat nahi hui ye tumhare liye kisi blessings se kam nahi hai ki
wo khud tumhe kuch sikhana chahte hain jo bhi wo kahe tum pure dil se karna dekhna
jab tum loutoge toh tumhare andar gyan ka bhandar hoga

Main:- jee dad main apni taraf se puri koshish karunga ab main bhi kafi excited tha Guru
ji se sikhne ke liye kyu ki dad kabhi kisi ki itni aasani se taarif nahi karte the kisiki chhodo
main apne school ka topper hun sports me bhi aage hun par aaj tak meri tak taarif nahi ki
thi unhone dad ka manana tha ki taarif se ghamand paida hota hai jo talent ko khatam
kar deta hai

Mom:- beta ek baat aur tum kaha aur kiske saath jaa rahe ho ye Ronit aur Anjali ko nahi
bata sakte ab ye sunte hi meri phati kyu ki dono hi mere liye bohat possesive hain

Main:- par mom unhe bina bataye main kaise jaa sakta hun wo dono mujhe jane hi nahi
denge

Mom:- bata diya toh bhi kaun sa akele jane denge par jo siksha lene tum jaa rahe ho wo
nahi le sakte Guru ji ne sirf tumhe unke saath chalne ko bola hai

Main:- par mom ye baat unko kaun samjhayega

Dad:- ek kaam karo unhe call karke bula lo main baat kar lunga

Main:- haan ye thek rahega fir maine dono ko call karke bula liya thodi der me hi dono
pohonch gaye
Ronit:- yaar itni jaldi me kyu bula liya hum toh waise bhi shaam ko aane wale the naa abhi
wo kuch aur bolta usse pehle hi uski nazar sofe par baithe mom dad par padi wo chup ho
gaya

Anjali:- hi aunty hi uncle

Ronit:- hello uncle hello aunty

Mom/Dad:- hello bacho idhar aao tum dono se kuch baat karni hai Ronit aur Anjali jaakar
sofe par baith gaye

Dad:- beta mujhe pata hai tum log vacations me ghumne jane ke liye bohat excited ho par
ek problem ho gayi hai Vicky ko kahi jana pad raha hai par akele dono hi ye sunke shocked
ho gaye hote bhi kyu naa ye first time tha jab main unhe chhod kar akele kahi jane wala
tha

Anjali:- kya hua uncle anything serious

Dad:- haan beta Vicky toh tumse kuch chupata nahi tumhe toh pata hi hoga ki tumhari
aunty aur unke relatives me koi baatchit nahi hai par tumhari aunty ki ek rishtedaar hai jo
Vicky se milna chaahti hai main tum dono ko bhi saath bhej deta par unhone Vicky ko
akele hi bulaya hai yaha tak ki hume bhi nahi

Anjali:- its ok aunty Vicky chala jayega hum fir kabhi saath chale jayenge Ronit bilkul chup
baitha tha mujhe pata tha usse ye sab acha nahi lag raha haikamina dost kam bhai zyada
tha par kar bhi kya sakte hain iske baad kuch khaas nahi hua dono hume bye bolkar nikal
gaye maine Ronit se baat karne ki koshish ki par saala pakode jaisi shakl bana kar
chupchap nikal gaya saale ko shaam ko bhi call kiya batane ke liye ki main parso nikal raha
hun toh kyu naa kal party sharty ki jaye par tha toh akal ka paidal hi bolta hai ki jab wapas
aaunga tab kare ge party aur patak diya phone ab main bhi kya karta do teen shudh
sahityik bhasha me gaali di aur mouh latka kar apne room aa gaya fir agle din kuch khass
nahi hua Anjali saara din mere saath hi rahi par wo dusra namuna gayab hi raha aur naa
hi hum dono ka call uthaya

Anjali:- tu toh janta hai naa usse bina soche samjhe hi faisle le leta hai tu tention na le ek
do din me thek ho jayega maine bhi mundi hiladi aur kar bhi kya sakta tha raat me diner
karke Anjali bhi chali gayi main bhi room me aa gayaaur aise hi ye din bhi nikal gaya ab
aaya wo din jis din se meri zindagi badalne wali thi main subah uthaapna morning routine
complete kiya saala jab se mera jana tay hua hai ye Ronit garden bhi nahi aaya khair main
ghar aaya fresh hokar nashte ki table par baith gaya
Dad:- toh young boy all set

Main:- yup dad

Mom:- nervous

Main:- a bit

Dad:- you don't have too isse ek adventure ki tarah lo aur waise bhi tumhe toh nayi nayi
cheezen sikhna pasand hai naa trust me its gone be a lifetime experience for u

Main:- ya I hope so abhi hum baat kar hi rahe the ki Guru Vishakht andar aaye hum teeno
hi unhe dekhkar khade ho gaye mom dad aur phir maine baari baari unke pair chue

Baba Vishakht:- toh Vikram aap tayar hain pata nahi kyu par jab bhi main Baba Vishakht
ki awaaz sunta hun lagta hai jaise bhagwan unke andar se mujhse baat kar rahe hain

Main:- jee Guru ji main tayar hun

Baba Vishakht:- toh chalo fir vilamb karma uchit nahi Jairaj Minu main aap dono ke dil ki
vyatha (haal) samjhta hun par Vikram ka mere saath jana awashyak hai issime iska kalyan
hai aap nishchint ho jayen

Dad:- jab tak aap hamare bete ke saath hain hume koi chinta nahi Vicky Guru devjaisa
kahe waisa karna tum nahi jante ki tum kitne lucky ho

Main:- I’ll dad I promise fir maine baari baari se mom dad ke pair chue

Dad:- main driver ko bol deta hun aap jahan jana chahte hain waha wo chhod dega

Baba Vishakht:- uski awashyakta nahi hai Jairaj hum nahi chahte koi bhi hamare saath ho
aur ab tum jo apne putr ko kharch ke liye paisa dena chahte ho wo mat do Vikram ko dhan
ko awashyakta nahi padegi dad shocked ho gaye kyu ki wo abhi mujhe paise hi dene wale
the

Dad:- par Guru ji

Baba Vishakht:- aap nishchint rahiye Jairaj hum aapke putra ka ache se khayal rakhenge
ab hum chalte hain chalo Vikram maine apna bag latkaya jisme mere kapde wagaira the
mom dad se ek baar gale mila aur Guru ji ke peeche peeche nikal gaya mom ki aankhon
me aansu thepehli baar mujhse alag jo ho rahe the dad bhi sad the par mom ko samjha
kar ghar andar le gaye idhar main Guru ji ke piche piche ho liya ghar se bahar nikal kar
Guru ji ne apne kamandal se paani nikala aankh band kikuch bola aur mere ghar ki taraf
wo paani fek diya ab ye kya tha socha Guru ji se puchu par fir socha Guru ji kuch aisa
bolenge jo mere sar ke upar se jayega issliye ye puchne ka idea drop kar main Guru ji ke
peeche peeche chal diya

Wahi dusri taraf Digvijay apne ghar pahuncha jahan hall me hi uske dad apne kuch logon
ke saath baithe the inka small intro

Balbeer Singh Bagga:- Mp ye ek number ka harami aadmi hai drugs escort services
diamond smuggling human trafficking jaisa najane kitne hi galat dhandho me involved hai
iski ek aur identity hai jo filhal ek secret hai jo sirf iske bete ko pata hai

Preet Bagga: Balbeers wife ye apne husband se bilkul ulat hain ek shant swabhav ki aurat
jo bhagwan me badi aashta rakhti hai

Digvijay Singh Bagga: ye apne baap ki xerox copy hai iske super natural hone ka kaaran
iska baap hi hai par kaise ye baad me pata chalega

Back to the story:

Digvijay:- dad mujhe aapse kuch baat karni hai

Balbeer:- abhi nahi beta dekh nahi rahe ho abhi thoda busy hun

Digvijay:- meeting over aap sab bahar jaiye turant mujhe dad se kuch important
discussion karna hai waha baithe sabhi Balbeer ki taraf dekhe jisne unhe jane ka ishara
kiya sabhi chup chap nikal gaye

Balbeer:- dekh raha hun aaj kal tum kuch zyada hi badtamiz hote jaa rahe ho ye mat bhulo
ki main kaun hun tumhari saari akad ek min me nikal dunga samjhe apne dad ki kadak
awaz sunkar ek pal ke liye Digvijay dar gaya par fir sambhal kar bola

Digvijay:- I’m sorry dad par main kya karta baat hi itni important hai ki main ruk nahi
saktajise jaankar aap bhi pareshan ho jayenge

Balbeer:- acha chalo batao kya baat hai fir Digvijay ne Balbeer ko college me jo hua sab
bata diyajise sunkar Balbeer ko yakin hi nahi hua Balbeer ne Digvijay ke sir ke upar haath
rakh kar mantra bola "drishya prakashnam" aur Balbeer ke aankhon ke saamne college
me jo hua sab kuch dikhne lagajise dekhkar Balbeer shocked ho gaya aur thoda pareshan
bhi

Balbeer:- ye kaise ho sakta hai aisi koi shakti hamare aas paas hai aur hume pata bhi nahi
chala kya naam hai uss ladka ka?
Digvijay:- Vikram Jairaj Singh ye naam sunkar Balbeer firse chonk gayakyu ki wo Jairaj ko
bohat ache se janta tha usne bohat baar Jairaj ko apne saath milane ki koshish ki thi par
hamesha nakamiyab raha tha wo sidhe tour par Jairaj se panga nahi le sakta tha kyu ki
Jairaj ka link c m ke saath tha aur apni shakti ka istemal wo aisi baaton me karna nahi
chahta tha

Balbeer:- hmm maine socha tha iss Jairaj pe apni shakti ka upyog nahi karunga par lagta
hai karna padega par pehle pata toh lagaun iske ghar me chal kya raha haiaur iske bete
ke paas shaktiyan kaha se aayin Balbeer ne apni aankhen band ki aur mantra bola shatru
shaktiyem khoj aaram bhate Balbeer ke haathon se kaali rays nikli aur tezi se Jairaj ke ghar
ki taraf chal di par Jairaj ke ghar ke sima par pahunchte hi wo rays gayab ho gayin ye sab
hamare Baba Vishakht ne kiya tha unhone Jairaj ke ghar se nikalte hi ghar ke bahar
surakhsa kawach bana diya tha unhe pata tha ki aisa kuch zaroor hoga

Idhar Balbeer ko toh jaise jhatke pe jhatke lag rahe the usse samjh nahi aa raha tha ki ye
sab ho kya raha hai ek pal ke liye toh usse laga ki abhi Jairaj aur uske bete ko khatam kar
de par phir usne apne dimag ko shaant kar thande dimag se socha

Balbeer:- mujhe ghusse me koi faisla nahi karna chahiye ye koi choti baat nahi hai par
kuch toh karna padega par kya Balbeer gehre soch me chala gaya par fir achanak jaise
usse kuch yaad aaya aur uski aankhen chamak gayin Digvijay maine tumhe bohat kuch
sikhaya hai kali shaktiyon se nawaza haimujhe lagta tha itna kafi hoga par ab lagta hai
tumhe bohat kuch sikhana baaki hai

Digvijay:- ji dad main bhi yahi chahta hun main uss Vikram ko aisa sabak sikhana chahta
hun jo wo zindagi bhar yaad rakhe

Balbeer:- par ye aasan nahi hoga bete isme tumhari jaan bhi jaa sakti hai kya tum tayar
ho

Digvijay:- ji dad aap jo bolenge wo main karunga

Balbeer:- thek hai fir tumhe Mirrors world jana hoga fir Balbeer Digvijay ko batata hai ki
usse kya karna hai Digvijay Balbeer se ashirwaad lekar apni manzil ki taraf nikal padta hai

Wahi dusri taraf:

Saint Cecilia:- ab kya hoga Asmodeus ne usse apne vash me kar liya hai aur aisa mayajaal
uske har taraf bicha diya hai ki hum uske aaspaas bhi nahi pahunch sakte ab hum kya kare
Hume chalte hue kafi waqt ho gaya tha infact hum pichle for ghanton se chal rahe the
main bhi chup chap bag latkaaye Guru ji ke peeche chal raha tha mann main toh kayi baar
aaya ki Guru ji se puchun ki hum jaa kaha rahe haipar fir jane diya puch lene se kaun sa
rasta chota ho jayega jitna waqt lagna hai utna toh lagega hi aur akhir me toh pata lagna
hi hai ki hum kaha jaa rahe hai issliye chup chap chalta raha ghadi dekha toh pata chala
hum ghar se karib 9 baje nikle the aur ab do baj rahe the matlab 5 ghante ho gaye the
hume chalte hue thakan toh nahi par haan bhook zaroor lag rahi thi mujhe ab main soch
raha tha ki Guru ji se kaise kahu Guru ji aage aage chal rahe the achanak chalte chalte wo
ruk gaye jab wo palte toh unke chehre par ek muskan thi

Main:- kya hua Guru dev kya mujhse koi galti ho gayi

Baba Vishakht:- nahi putr main bohat khush hun tum tumhare pehle imtihan me safal ho
gaye

Main:- kaisa imtihan Guru dev?

Baba Vishakht:- jigyasa aur saiyam putra har manushya ke mann main jigyasa aur saiyam
dono hoti hai par uska upyog wo kaise karta hai ye hunar hi uski safalta ya asaflta nirdharit
karti hai tumhare mann main bhi ye jigyasa thi ki hum kaha jaa rahe hain par uska adha
uttar tumne khud ko hi de diya aur aadha samay par chhod diya jo tumhara khudpe
saiyam darshata hai ye dono goon salfata ke pehle do payedaan hai jo tumne aasani se
paar kar liye

Main:- thanks oops dhanyawaad Guru ji

Baba Vishakht:- its ok Vikram you can use english where ever you want to main Baba ke
mouh se itni achi angrezi sunkar shocked ho gaya

Baba Vishakht:- kya hua Vikram itne hairan kyu ho main prachin zaroor hun par meri soch
aur gyan samay ki seema me nahi bandha hai aur waise bhi bohat mouke milenge tumhe
chonkne ke tayar raho waise hum abhi kaha hain?

Main:- Guru ji hum abhi mumbai se just bahar oh my God what the f**** sorry Guru ji wo
main lekin ye sab I mean its impossible ye kaise ho sakta hai ab dimag toh ghumna hi tha
naa kyu ki hum abhi mumbai me nahi the arre mumbai me chhodo hum toh jis road me
khade the abhi hum uss road me bhi nahi the uss road par kya kisi bhi road par nahi
thehum abhi ek pahad ki choti par the ek bohat bada hara bhara pahad upar khula aasman
pakshiyan toh humse thoda niche ud rahi thi hum uss pahad ke top me rakhe ek vishal
pathar ke upar khade the mere kaanon me paani ki halki halki awaaz aa rahi thi matlab
paas me hi kahi jharna beh rahe tha aur mera dimag yaha bilkul fuse ho gaya tha mujhe
toh lag raha tha ki main koi sapna dekh raha hun maine apne haath me chimta toh yakin
hua ki ye sapna nahi sach hai main bas idhar udhar dekh raha thaye sab sach hai yahi
hazam karne ki koshish kar raha thajab saamne dekha toh Baba Vishakht muskura rahe
the zindagi me pehli baar mujhe thoda sa dar laga ab lagta bhi kyu nahi aisa toh sirf movies
me dekha tha sach me bhi magic jaisa kuch hota hoga ye yakin karna thoda mushkil tha

chaliye apne hero ko thoda surprised chhodte hain aur chalte hai world of Warriors me
ek bade se maidan me Lord Crusedar khade theunke saath unke senapati Heinsberg the
aur unke saamne hazaron ke tadad me sainik ladhne ki practice kar rahe the

Lord Crusedar:- itne me nahi hoga Heinsberg hamare sainiko ka yudh star kafi gir gaya hai
aise me toh hum apne aap ko pehle jaisa shaktishali kabhi nahi kar payenge

Heinsberg:- haan my king iski chinta toh mujhe bhi hai par isme sainiko ka bhi kya dosh
itne saalon tak gulami ki haiuska asar in sab ke sharir par bhi hua hai ye pehle se kafi
kamzor ho gaye hain in sab ka aahar bhi humne badha diya haipar pata nahi kyu ye
tandarust ho hi nahi paa rahe hain

Lord Crusedar:- koi toh upay hoga inhe pehle jaisa karne ka bohat der tak sochne par bhi
jab Lord Crusedar ko kuch upaye na sujhatoh aakhir me unhone Defender se hi madad
lene ki sochi Lord Crusedar ne apni aankhen band kar Defender ka awaha kiya kuch hi der
me ek tez gadgahat ke saath Defender unke saamne tha Lord Crusedar Defender ke
sammaan me jhuk gaye saath hi Heinsberg aur waha maidan par khade saare sainik bhi

Defender:- uth jaiye sabhi log aur Lord Crusedar aapke sainiko ko koi bhi aahar sharir pe
issliye nahi lag raha hai kyu ki devils ne in sab ko kaaiwa ka ras pilaya hai taaki ye vidroh
karna bhi chaahen toh na kar payen

Lord Crusedar:- kya kaaiwa ka ras usse toh in sab ka sharir andar se pura khokla ho chuka
hoga aur iska toh koi ilaaj bhi nahi hai

Defender:- ilaj hai fir Defender ne Lord Crusedar ko ilaaj bataya aur kaha

Defender:- jo maine bataya hai uski zaroorat sirf aapke sainiko ko hi nahi aapko bhi hai
jab aap usse prapt kare toh apne sainikon ke saath khud bhi sewan kare isse aapki shakti
10 guna badh jayegi

Lord Crusedar:- jo aagya Defender fir Defender gayab ho gaya back to hero

Baba Vishakht:- maine kaha tha na putr tumhe aur bhi mouke milenge chonkne ke
Main:- aa aap kaun hain aap insaan nahi hai kya koi bhoot hain ya alien dekhiye main toh
ek bacha hunmere paas kuch bhi nahi hai aise hi najane kitni bakwas kar di maine Baba
Vishakht ek dum shant mudra me khade bas muskura rahe the jab mera bolna khatam
nahi hua toh unhone mere kandhe par haath rakha

Baba Vishakht:- shant ho jao putr ghabrao mat main tumhe koi nuksaan nahi
pahunchaunga main samjhta hun ki tumhare liye ye sab naya hai tumhare liye kya kissi
bhi dharti wasi ke liye ye ek chamatkar hai par yakin maanoye kuch bhi nahi hai iss
bramhand me kuch bhi na mumkin nahi hai ab tak main thoda shaant ho gaya tha aur
meri curiosity level bhi kafi badh gayi thi

Main:- Guru dev dharti wasi matlab kya dharti se bahar bhi jeeven hai?

Baba Vishakht:- putr aaj ka pehla sabak sawal wahi karo jo ussi waqt ke liye upyogi ho aise
sawal ka kya arth jiska jawab der sawer apne aap tumhe mil hi jayega

Main:- ji Guru dev

Baba Vishakht:- ek baat batao putra tum bhagwan me maante ho

Main:- jee Guru dev maanta hun

Baba Vishakht:- aur shaitan me

Main:- kya pata mera matlab maine kabhi socha nahi

Baba Vishakht:- putra bhagwan aur shaitan ek hi sikke ke do pehlu hai par dono me ek
chiz saamanya hai wo hai chamatkar chamatkar se mera arth jadu mantra nahi hai balki
satya aur mithya hai hum sabhi ke andar ye dono hi baste hain hum jise chunte hain wo
jeet jata hai aur dusra haar jata hai par iska ye arth nahi ki jo haara wo khatam ho gaya
hai kyu ki bhagwan ho ya shaitan ye har manushya me barabar baten hain iss bramhaand
me aise bohat se raaz hai jiske bare me ya toh bhagwan jante hai ya fir shaitan zyadatar
iss bramhand me basne wale log sadharan hainjo apna jeevan kaal pura kar mrityu ko
prapt karte hain par kuch aise bhi log hain jo sabhi logon se chupkar uss param pita
parmeshwar ka karya karte hain aise hi log shaitan ke paas bhi hote hain jo uska
saamraajya pure bramhaand me failana chahte hain par dono taraf ke hi logon ko saare
sansaar se chup kar ye karya karna padta hai aisa hi ek karya mujhe bhi soupa gaya hai
tumhe tayar karne ka

Main:- mujhe par mujhe hi kyu Guru dev aur kis karya ke liye
Baba Vishakht:- ek baat batao putra tum iss warsh kis kaksha me jaoge? ab ye sawal kaha
se aa gaya beech me

Main:- 11th me Guru dev

Baba Vishakht:- college me kyu nahi

Main:- uske liye toh pehle 12th clear karna hoga naa uske baad jaunga

Baba Vishakht:- hmm matlab jab uska waqt aayega toh apne aap chale jaoge yahi naa

Main:- jee ohh teri ab samjha waah Guru ji ka style toh gazab hai sawal me hi jawab bohat
badiya main dheere se hans diya jise dekhkar Guru ji bhi hans diye

Baba Vishakht:- tum janana nahi chahoge hum kaha hain? saala pucho toh taklif naa
pucho toh bhi taklif par khud hi bol rahe hain toh puch leta hun

Main:- jee Guru dev hum kaha hain?

Baba Vishakht:- hum iss waqt jis pahad par khade hain wo kasauli sheher ke uttari chhor
me stith hai ye yaha ka sabse bada pahad hai yaha tumhari shishka bina kisi baadha ke ho
sakegi iss pahad ke andar ek ghana jungle hai jahan se tumhare khaane peene ki vyavastha
araam se ho jayegi tumhari shisha ek mahine ke liye chalegi tab tak ke liye yahi tumhara
ghar hai iss ek mahine me tumhe 10 varsh ke barabar tak ka gyan milega ab se tumhe
bohat si ashchrayajanak chizen dekhne ko milengiissliye zyada chonka mat

Main:- Guru jiab mujhe kisi baat pe ashcharya nahi hoga

Baba Vishakht:- apni daayin ore dekho maine jab apne right side dekha toh wakai meri
aankhen khuli reh gayi mere saamne hawa me hi ek darwaza ban gaya tha aur uske andar
se 3 log nikle do aadmi the aur ek aurat par teeno umr me zyade bade nahi lag rahe the
zyada se zyada 30 ke dikh rahe the wo teeno hamare paas aaye aur Guru ji ke aage jhuk
gaye Guru ji ki awaz se meri tantra tooti

Baba Vishakht:- utho bachon wo teeno khade ho gaye Vikram tum toh keh rahe the tum
nahi chonkoge ab main kya kehta yaha toh saala special effects ki jhadi lagi hui thi

Baba Vishakht:- putr ye hain Akshaant Mokalsar aur Saila tumhari shiksha me inki ahem
bhumika hogi main waise bhi magic dekhkar kafi excited ho gaya tha

Main:- Guru dev kya main bhi magic sikhunga


Baba Vishakht:- haan bhi aur nahi bhi ab saala ye kya jawab hua Guru dev mujhe yun
sochta dekh bole

Baba Vishakht:- mere kehne ka arth hai ki tum filhal jaadoo ko rokna sikhoge karna nahi
fir bhi kuch chizen tum kar paoge jo jaadoo se kam bhi nahi hongi ab main kya kehta jo
mile wo thek par fir bhi thi da udas ho gaya

Baba Vishakht:- udas mat ho putr ye shisksha tumhari puri shiksha nahi hai aage chalkar
tumge bohat kuch prapt karna hai pehle main in teeno se tumhari pehchaan kara deta
hun ye hain Akshaant ye tumhare pehle Guru honge pehla ek hafta tum inse sikhoge ye
tumhe takatwar aur gati sheel banayenge inke prashikshan se tumhari takat 10 haathi ke
barabar ho jayegi aur raftar itni tez ho jayegi ki aankhon se tumhe dekhna tak mushkil ho
jayega ye hain Mokalsar ye tumhe bramhaand ki saari yudh shaili me maahir banayenge
dusra hafta tum inse siksha loge aur ye hain Saila ye tumhe hawa aur paani dono me
barabar niyantran karna sikhaengi inse uchit shiksha lekar tum paani me bhi saans le
sakoge aur bade se bade tufan ke beech se bhi aaram se nikal paoge aur aakhri hafte me
tumhari pariksha hogijisme faisla hoga ki tum safal hue ya nahi

Main:- aur Guru ji aap aap mujhe kuch nahi sikhayenge

Baba Vishakht:- bilkul sikhaunga putra har shaam ko tumhari prashikshan ke baad do
ghante tum mere saath bitaoge jisme jo bhi tumne sikha hoga main uski baarikiyan tumhe
bataunga iske alawa har roz praataha tum mere saath yog karoge jise tumhara mann aur
mastishk itna shant ho jayega ki koi bhi prashikshan tum bohat jaldi hi sikh jaoge main
tumhe iss bramhand ke har vishay ka gyaan bhi dunga jo tumhare liye ati aavashyak hai

Main:- jo aagya Guru dev

Baba Vishakht:- aaj ka adhe se zyada pahar nikal chuka hai issliye aaj hum vishram kare
ge fir Guru ji ne apne haath aage kiye unke haath se kuch white rays nikli aur saamne ki
khali jagah par padi dekhte hi dekhte waha 5 tents ban gayi

Baba Vishakht:- jao tum sab chaho toh aaram kar lo ya fir ghum aao yaha dekhne ke liye
bohat kuch hai mujhe ek awashayak karya se jana hai ye bolkar Baba gayab ho gaye aur
hum bhi chal diye ghumne raaste me meri un teeno se intro bhi hui unki bhasha bhi thodi
prachin thi par saaf thi aur ek baat jo mujhe pata chali ki wo iss duniya ke nahi hai kisi
vrihakh naam ke grah se hain ab mere liye kuch bhi shocking nahi tha hum baat karte
karte ek jharne ke paas pahunche maine itna sundar nazara pehle kabhi nahi dekha tha
hum sab wahi jagah dekhkar baith gaye aur baatein karne lage Akshaant aur Mokalsar toh
shaant swabhav ke the par Shaila badi chubuli thi mujhe Anjali ki yaad aa gayi par kar bhi
kya sakte hain aise hi baaton me kab shaam ho gayi pata hi nahi chala fir hum wapas tent
ke paas aa gaye shaam ka waqt aur upar se pahadthand lagne lagi thi Mokalsar ne magic
se aag jala di hum wahi baith gaye Shaila ne bhi kuch bola aur haath aage kiye saamne
alag alag fruits aa gaye hum ussi ko khakar kuch der baithe rahe fir apne apne tent me
chale gaye ab kal ka intazar tha meri training ka pehla din

Wahi dusri taraf Digvijay pahuncha mirror world Digvijay ek jagah ke saamne khada hua
uss jagah ne Digvijay ko apne andar khinch liya Digvijay jab andar pahuncha toh uske
saamne tha ek lamba chowda saaya jo kaale kapdo me ghira hua tha uske chehre par
mask tha uski sirf aankhen dikh rahi thi haathon me talwar jo tez chamak rahi thi Digvijay
ek pal ke liye toh dar gaya par fir himmat juta kar bola kaun ho tum?

Digvijay:- Agrasena toh main kya karun aur main yaha kaise aa gaya main toh *****
saamne khada tha yaha kaise aa gaya

Agrasena:- apni zuban ko uski hadh yaad dilao baalak itni baatein Agrasena ko sunana
pasand nahi

Digvijay:- oh hello tum mujhe bataoge kitna bolna hai tum abhi mere bare me jante nahi
ho warna yun bhonkte nahi agar main chahun aahhh issi dard bhari awaaz ke saath
Digvijay 20 metre door jaa gira Digvijay ka sir ghoom raha tha hoth phat gaye the usse
samjh nahi aa raha tha ki usse koi sirf ek mukke se kaise itna ghayal kar sakta hai aisa uske
life me pehle kabhi nahi hua tha Digvijay ne dheere se saamne dekha toh door Agrasena
khada tha khsati pravati zakhm thek karne ke liye usne mantra bola par ye kya koi asar
nahi hua Digvijay ko ab bohat ghussa aa raha tha usne apni puri shakti sameti aur ek jhatke
me khada hua aur doudte hue Agrasena ke paas pahuncha aur puri taakat se ek mukka
mara mukka sidha Agrasena ke gaal me pada aur aahhh ek dard bhari awaaz charo taraf
gunj gayi par ye kya ye awaaz toh Digvijay ki thi jo apni kalai pakad kar neeche baitha
tadap raha tha Digvijay ko aisa lag raha tha jaise usne kisi ke mouh pe nahi balki chataan
ko mukka maara hai

Agrasena:- ho gaya tumhara baalak tum mere saamne ek kide se badhkar kuch nahi tum
agar apni puri taakat bhi laga do toh mera ek baal tak nahi tod sakte mann toh kar raha
hai ki tumhare iss dusaahas ke liye tumhare praan le lun par tumhe yaha ********** ne
mere saamne pahunchaya hai tumhe sikhana mera kartavya hai par dobara aisi galti ki
toh wo tumhari antim galti hogi aur ek baat yaha tumhara koi bhi jaadoo beasar hai toh
koshish bhi mat karna ab bolo kya vichar haisikhna hai ya wapas jana hai ab tak Digvijay
ka bhi akal thekane par aa gaya tha usse lagne laga tha ki wo sahi jagah aaya hai aur ab
yaha se sikhkar wo Vikram jaise 10 pe bhi bhaari padega

Digvijay:- mujhe maaf kare Guruvar main apne ghamand me andha ho gaya tha ab dobara
aisi galti nahi hogi

Agrasena:- uchit hai Dhanur ek zor ki bijli kadki aur ek hatha katha aadmi prakat hua ek
haath me dhanush dusre kandhe me tarkash par ek ajeeb baat thi wo ye ki tarkash me ek
bhi teer nahi thi

Agrasena:- ye Dhanur hai inke pehnawe se tumhe pata chal hi gaya hoga ki ye dhanush
baan ki vidhya me maahir hain par sirf baan se nahi ye kisi bhi shahstra ko teer ki tarah
istemal kar sakte hain aaj se tum inse siksha loge jab tak ye tumhe inke saari vidhya nahi
sikha dete agar tum inke prashikshan me safal rahe toh aage ki shiksha main tumhe dunga
warna tumhe wapas loutna hoga

Digvijay:- jo aagya Guruwar fir Agrasena gayab ho gaye aur reh gaye Digvijay aur Dhanur

Wahi dusri taraf raat gehra chuka tha Vikram apne tent me tha baaki ke teeno ek tent ke
andar baith kuch baat kar rahe the kya hua bacho kis vishaya me baat ho rahi hai teeno
ne jab awaaz ki aur dekha toh saamne Baba Vishakht khade the Baba ko dekh teeno khade
ho gaye

Teeno:- namashkar Guru dev

Baba Vishakht:- ayushmaan bhava tum logon ne jawab nahi diya kis vishaya par charcha
ho rahi thi teeno ne ek dusre ki taraf dekha ab kisiko toh kehna hi tha

Saila:- wo Guru dev hum bas Vikram ki kal se shuru hone wali prashikshan ki baat kar rahe
the

Baba Vishakht:- hmm par ye aadha satya hai haina ab teeno jaan chuke the ki baat ko
chupane ka koi matlab nahi tha

Akshaant:- ji Guru dev hum yahi baat kar rahe the ki jis vidhya ko prapt karne ke liye hume
najane kitne varsh lag gayejise hum aaj bhi nikhar rahe hain uss vidhya ko aap usse maatr
ek mahine me sikhana chahte hai ye toh asambhav hai

Baba Vishakht:- asambhav me hi sambhav chupa hota hai bachon Vikram ek mahine me
tum sab ki vidhya puri tarah sikhne me samarth hai ya nahi ye tum teeno khud hi dekh
lena chalo ab kafi raat ho chuki hai apne apne patwas (tent) me jaakar so jao kal pratah
jaldi uthna hai

Teeno:- jee Guru dev shubh ratri sabhi apne apne soch me gum apne tents me chale gaye
Baba Vishakht sabhi ki manodasha se bhali bhaali parichit the wo bhi muskurate hue apne
tent me chale gaye fir kuch khass nahi hua aur raat beet gayi aur fir ek nayi subah ka
aaghas hua aakhir me wo din aa gaya jab Vikram ki ek simple se ladke se iss bramhaand
ke sabse bade yodha sabse shaktishaali vyakti banane ki shuruat honi thi subah ke chaar
baj rahe the main apne tent me soya hua tha itne me mere neend me hi ek awaaz aayiuth
jao putra saadhna ka waqt ho raha hai main hadbada ke uth gaya ass paas dekha toh koi
nahi tha yaha waha mat dekho putra main tumhare antar mann se jud kar baat kar raha
hun ab zyada socho mat apne nitya karam kar jharne ke paas aa jana par soch toh main
raha tha kyu ki yahi awaaz uss raat sapne me bhi maine suni thi iska matlab Guru dev hi
the jo uss raat mere sapne me aaye the issliye unki awaaz itni jaani pehchaani lagti thi
sawal toh aur bhi bohat the mere mann mainpar filhal waqt nahi tha main fatafat utha
fresh wagairaah hua aur chal pada jharne ki taraf waha pahuncha toh dekha Guru dev
dhayan awastha me baithe the main jaise hi unke kareeb pahuncha unhone aankhen khol
di

Baba Vishakht:- putra ab se har roz issi samay me tumhe yaha aana hoga abhi main kuch
kehta usse pehle hi Guru ji bole

Baba Vishakht:- putra apne mann aur mastishk ko viraam do maine kaha tha naa aise
sawal karne ka kya fayda jiska jawab der saver mil hi jayega ab samay vyarth na karo aur
yaha baitho maine bhi apna sir jhatka aur baith gaya

Baba Vishakht:- dhayan lagane ke bare me kya jante ho

Main:- zyada toh nahi Guru dev bas itna hi ki apne mann se saare vichar nikal doman ko
khaali kar do apne chit ko ekagrit kar ankh band kar apne indryon ko kabu karo

Baba Vishakht:- atti uttam par tumhe kuch aur bhi karna hai

Main:- kya Guru dev?

Baba Vishakht:- tum jab apne chit ko shant karoge toh tumhe har tarf ya toh andhera
dikhega ya ujala dono hi suraton me tumhe ek roshni khojni hai jab tum uss roshni ke
kareeb pohonch jao toh usse mehsoos karne ki koshish karna ab ye kya logic hua agar
ujala hua toh aur ujala kaha se dikhega par ab Guru ji ko bolunga toh ek aisa logic fekenge
jo apni samjh se upar hoga issliye jo aagya Guru dev bol diya
Baba Vishakht:- thek hai putra ab tum dhayan awastha me baitho aur koshish karo par
hamari baaton ka hissa sirf hum nahi the koi aur bhi tha jo ye sab sun raha tha ye koi aur
nahi Mokalsar thajo mere piche piche aa gaya tha aur ek ped ke piche se sab dekh aur sun
raha tha

Idhar main dhayan awastha me baith gaya ab ek quality toh bachpan se thi mujhme ki koi
bhi kaam jo mujhe diya jata tha usse main puri lagan se karta tha aur waise bhi mera
dimag shant hi rehta tha bhale hi ye dhayan lagane me mera first time tha par najane kyu
dhayan me baithte hi mujhe aisa laga jaise ye main saalon se karta aa raha hun main apne
chit ko shaant kar mann aur mastishk ko ekagrit karne me lag gaya mujhe itni jaldi apni
aap ko shaant kar dhayan lagate dekh Guru ji ke chehre par ek Vijayi muskaan aa gayi

Baba Vishakht:- (mann main) atti uttam putr mujhe garv hai ki mujhe tumhara Guru
banane ka soubhagya prapt hua) putra Mokalsar tumhe chupne ki awashyakta nahi hai
tum yaha aa sakte ho Guru dev ne mind to mind Mokalsar se ye baat kahi Mokalsar bhi
turant saamne aa gaya

Mokalsar:- shama kare Guru dev main toh bas aise hi dekh raha tha

Baba Vishakht:- putra main janta hun tum kya dekh rahe the tumhe abhi bhi Vikram ke
upar sandeh hai naa

Mokalsar:- Guru dev sach kahu toh hai nahi tha par ab isse dekhkar lagta hai ki zaroor
isme kuch khass hai mujhe thek se dhayan lagane me ek mahine se zyada ka waqt laga
tha aur ye pehli baar me hi aise dhayan me baitha hai jaise najane kitne saalon se dhayan
karta aa raha ho

Baba Vishakht:- ye kuch bhi nahi hai putra kuch samay do jo tum dekhoge uspe yakin nahi
kar paoge

Mokalsar:- Guru dev kya main bhi yahi par dhayan lagane ke liye baith jaaun

Baba Vishakht:- awashya putra par tum zyada der tak baith nahi paoge

Mokalsar:- kyu Guru dev?

Baba Vishakht:- pata chal jayega baith jao

Mokalsar:- dhanyawaad Guru dev aur Mokalsar wahi mere paas dhayan me baith gaya
idhar main dhayan me baitha hua tha main puri tarah apne andar kho sa gaya tha mujhe
kuch bhi yaad nahi thayaha tak ki mom dad bhi nahi iss waqt main ek shunya ki stithi me
tha mujhe aas paas sirf roshni hi roshni dikh rahi thi meri indriyan kuch khoj rahi thekya
ye main bhi nahi janta tha guzarte waqt ke saath saath aisa lag raha tha jaise main apne
manzil ke kareeb pahunch raha hun ye duniya puri kalpanik thi fir bhi kitni vaastawik lag
rahi thi meri indriyan uss roshni me dekhne ki koshish kar rahi hi rahi thi ki achanak uss
roshni me bhi kuch chamka aur meri indriyan uss aur khinchti chali gayi jaise jaise main
uss chamakne wali chiz ke karib jaa raha tha mujhe apne andar ek urja si mehsoos ho rahi
thi ye sab mere andar chal raha tha bahar kya ho raha tha ye mujhe pata nahi tha
Mokalsar ko abhi dhayan me baithe 10 min bhi nahi hue the ki usse garmi lagne lagi ye
bohat ajeeb baat thi kyu ki yaha ka mousam bohat thanda tha thodi der me garmi aur
badh gayi aur Mokalsar ke aankh band hone ke bawajud uski aankhon me roshni ghus kar
chubhone lagi Mokalsar ne jab aankh kholkar meri taraf dekha toh turant aankhen band
kar li wo waise hi aankhen band kar utha aur dusri taraf chal diya thodi door pahunch ke
usne aankhen kholi toh saamne ka nazara dekhkar dang rah gaya mere pure sharir se
roshni nikal rahi thi aur wo roshni badhti hi jaa rahi thi aas paas ka pura ilaka meri uss
roshni se chamak raha tha Mokalsar ke paas hi Guru ji bhi khade the jo muskura rahe the

Idhar main uss ujaale ke paas pahuncha ye koi cheez nahi thi koi saaya tha jo surya se bhi
tez chamak raha tha fir bhi paani ki tarah sheetal tha najane usme kaisa sammohan
thamain ek tuk uski aur dekh raha tha tabhi uss saaye ne kaha

White Shadow:- kya dekh rahe ho Vikram main tumhare andar hi hun ya ye kahu ki tum
aur main ek hi hain

Main:- aap kaun hain? wo saaya mere kareeb aaya aur bola

White Shadow:- apne aap ko pehchaano Vikram aur ye bolkar usne mujhe chua mujhe ek
tez jhatka laga aur ek pal ke liye meri aankhon ke aage pura bramhand aa gaya ye jhatka
sirf mere andar nahi laga tha balki bahar bhi laga tha yaha White Shadow ne mujhe chua
aur jo roshni mujhse nikal rahi thi wo phat gayi jiski chapet me Guru dev aur Mokalsar bhi
aa gaye aur aas paas ke sabhi ped bhi Mokalsar aur Guru ji ko ek tez jhatka laga aur dono
door pheka gaye aur saare ped poudhe jal kar rakh ho gaye Guru ji ko toh zyada chot nahi
aayi par Mokalsar ki haalat kharab ho gayi uska sharir jagah jagah se phat gaya tha aur
khoon nikal raha tha Guru ji turant uthke uske paas gaye aur uske upar haath rakh mantra
bole kshati pravati dheere dheere Mokalsar ke saare zakhm bhar gaye par wo ab bhi kafi
kamzor dikh raha tha
Baba Vishakht:- tumhe pura swastha hone me samay lagega main tumhe tumhare ghar
bhej raha hun swastha hokar lout aana ab Mokalsar bhi kya kehta abhi toh uski haalat
sach me kharab thi

Mokalsar:- jaisa aap kahe Guru dev phir Guru ji ne usse world door se wapas bhej
diyawaha jo sab kuch jal chuka tha sabko thek kar diya aur mere paas aa gaye kyu ki main
bhi White Shadow ke chute hi jhatke se behosh ho gaya tha Guru ji ne mere sar par haath
rakha "chetna prayagchhati" maine dheere se apni aankhen kholi

Main:- mujhe kya hua tha Guru dev

Baba Vishakht:- kuch nahi putra aur jo tumne dhayan awastha me dekha filhal uske bare
me bhul jao sirf apne prashikshan me dhayan do ek toh mujhe samjh nahi aata ki Guru ji
ko pehle se sab kuch kaise pata chal jata hai aur upar se bolte hai ki kuch puchun bhi
naayaha tak ki sochun bhi naa arre yaar insaan hun robot nahi soch toh aa hi jati hai naa
khair bolke toh kuch fayeda nahi jaisa bolte hain karte jaara hun waise bhi Guru ji ne bola
toh hai hi sahi waqt par sab pata chal hi jayega fir main aur Guru dev tents ke paas aa gaye
jahan Akshaant aur Shaila khade the

Dono:- suprabhat Guru dev suprabhat Vikram

Baba Vishakht:- suprabhat bachon

Main:- suprabhat

Baba Vishakht:- Akshaant tum Vikram ka prashikshan aarambh karo aur dhayan rahe koi
rihayat nahi kadi mehnat karana isse

Akshaant:- jo aagya Guru dev

Baba Vishakht:- Shaila tum bhi Vikram ke prashikshan ki tayari karo wo saari vidhyaon ka
abhyaas karo jo tum Vikram ko sikhane wali ho

Shaila:- ko aagya Guru dev par ye Mokalsar kahi dikhayi nahi de raha hai

Baba Vishakht:- maine usse kuch mahatvpoorn kaarya se bheja hai

Baba Vishakht:- Vikram manushya ya toh dimag se sochta hai ya fir hridaya se isse usse
safalta toh milti hai par uski ek seema hoti haijise tum vigyan ya science kehte ho agar
tum mastishk aur hriday ko ek kar ke socho toh tum in seemaon ko tod aage badh jaoge
tumhari seema tum khud tay karoge jis tarah tumne aaj dhayan laagaya hai ussi tarah
dimag aur hriday ko jodkar abhyas karna parinaam wo aayega jo tumne socha bhi nahi
hoga

Vikram:- iss seekh ke liye dhanyawaad Guru dev main yaad rakhunga phir main aur
Akshaant chal diye pahad ki dusri aur

Akshaant:- Vikram hume yaha se pahad ke under se hote hue dusri taraf jana hai andaza
lagao kitna waqt lagega

Main:- kam se kam 30 minute

Akshaant:- thek hai toh doudna shuru karo ab main kya bolta doudna shuru kar diya main
ek t shirt aur lower me tha issliye running karna aasan tha mere liye main shuru ho gaya
ab mujhe thakan toh aasani se lagti nahi thi main nazaaron ki taraf dekhte hue doudte jaa
raha tha ki achanak mujhe laga ki koi mere baju se nikla hai maine jab saamne dekha toh
koi nahi tha maine dimag jhatka aur doudte hue pahad ki dusri aur pohonch gaya main
jaise hi waha pahuncha mujhe ek jhatka lagakyu ki Akshaant waha pehle se hi khade the
aur muskura rahe the

Akshaant:- kya hua itne hairan kyu khade ho waise manana padega tum 20 Minute me hi
pohunch gaye aur tumhari saansein bhi durust hain

Main:- waise aapko pahunche hue kitna waqt hua

Akshaant:- kareeb 19 minute

Main:- kya

Akshaant:- kyu yakin nahi hai Vikram vishwas karna sikho khud pekhud ke raftaar se jab
tak tumhara dimag ye nahi maanega ki tum tez ho tum tez nahi doud paoge ab chalo main
tent ke paas khada hun tum aao mere peeche par iss baar khud par yakin karna jitna dridh
nishchaya utni tezi aur agle hi pal Akshaant doud pade aur main toh dekhta hi reh gaya
kyu ki do second me hi wo meri aankhon se ojhal ho chuke the

Main:- lag gaye beta aur tu apne aap ko champion samjh raha tha chal focus kar maine
bhi do teen lambi saanse li aur doudna shuru kiya iss baar main idhar udhar nahi dekh
raha tha bas sidhe dekhkar doud raha tha kuch hi der me main tent ke saamne tha

Akshaant:- hmm 15 min achi baat hai par ye kafi nahi hai Vikram aise toh tumhe sikhne
me saalon lag jayenge Saila bhi wahi khadi thi jo dheere dheere hans rahi thi mujhe ye
acha nahi laga kyu ki uski hasi mazak udane wali hasi thi
Akshaant:- main tumhara prashikshan aage tab tak nahi badhaunga jab tak ki tumhari gati
nahi badh jati tumhe 5 Minute ke andar parvat ke iss chhor se uss chhor aur fir wapas
aana hai jab tum itne tez ho jaoge fir aage ka sochenge

Saila:- arre Akshaant ye kya kar rahe ho bacha hai thodi toh daya karo

Akshaant:- ab Guru ji ne hi kaha hai isse ek hafte me tayar karo aise karega toh kaha se
sikh payega

Saila:- Vikram tum naa ek kaam karo ghar lout jao aur wahi practice karo jab kuch kaam
banane lage toh aa jana ye bolkar dono hi hasne lage mujhe bohat bura lag raha tha par
main bol bhi kya sakta tha par wo dono achanak chup ho gaye maine palat kar dekha toh
Guru ji aa rahe the

Baba Vishakht:- idhar aao Vikram main unki taraf chala gaya

Baba Vishakht:- putra tumhare pairon ki gati kam nahi hai tumhare soch ki hai maine
tumhe kaha tha naa ki sirf dimag se ya hriday se sochoge toh ek seema me bandh jaoge
apne hriday ko apne mashtishk se jodo thek waise hi jaise subah dhayan ke waqt kar rahe
the fir koshish karo

Main:- jo aagya Guru dev maine Guru dev se aashirwaad liya aur wapas un dono ke
saamne aa gaya

Main:- thek hai Akshaant ji aage ki shiskha tabhi hogi jab main apki iss chunouti pe khara
utrunga Shaila abhi bhi muskura rahi thi main palta apni aankhen band kiaur apne dimag
aur dil ko khali kiya ab mera dhayan firse sunya main pahunch gaya tha mujhe mere sharir
me ek sarsarahat si mehsoos ho rahi thi mera khoon mere andar 100 guna tezi se beh
raha tha maine ek jhatke me apni aankhen kholi aur doud laga di mere doudte hi Shaila
aur Akshaant ke mouh khule ke khule reh gaye kyu ki kuch hi pal me main unki nazar se
gayab ho chuka tha wo dono shock me baithe the kuch der baad unke kaano me ek awaaz
aayi ek pal ke liye unhe hosh aaya par saamne wale ko dekh kar wo fir ussi shock me chale
gayekyu ki unke saamne aur koi nahi main khada tha

Main:- kya hua Akshaant ji Shailaji main hi hun Vikram main apni ghadi dekhte hue

Main:- Akshaant ji aapne mujhe 5 minute ka samay diya tha maine 3 minute me hi puri
kar di ab toh main aage ke prashikshan ke liye tayar hun naa Akshaant aur Shaila ko
vishwas hi nahi ho raha tha ki jo unhone kaha tha maine kar dikhaya wo dono hi kuch
kehne ki haalat me nahi the
Main:- Akshaant ji Shaila ji shakti shali hone ka ye matlab toh nahi ki aap saamne wale ka
mazak udayen ye hak uparwale ne kisiko nahi diya hai ho sake toh iss baat ka dhayan
rakhiye ga Akshaant aur Shaila dono ko hi apni galti ka ehsaas ho chuka tha

Akshaant:- mujhe maaf kardo Vikram main aaj ke din ko ek sabak ke roop me lunga

Saila:- mujhe bhi shama karna Vikram main ghamand me aakar kuch zyada hi bol gayi

Main:- shama mat mangiye aap mujhse bade hainaur mere Guru bhi apko apki bhool dikhi
yahi bohat hai acha ab training I mean prashikshan shuru kare abhi toh mujhe bohat kuch
sikhna hai

Akshaant:- bilkul ab toh main tumhe wo sab bhi sikhaunga jisme main khud puri tarah se
mahir nahi hin sirf janta hun mujhe yakin hai tum wo sab bhi kar loge

Shaila:- haan aur ab main bhi kathin abhyas karungi taaki tumhe kathin prashikshan de
sakun main bhi unki baat sun muskura diya Guru ji apne tent me dhayan awastha me
baithe hue the par sab kuch dekh rahe the

Akshaant:- tumhari gati tez ho gayi hai par itne se bhi kaam nahi chalega ab se har din
tum kamsekam 10 baar issi tarah doudoge mujhe yakin hai tum mujhse bhi tez doud sakte
ho chalo phir hum dono doudte hue ussi dusre chhor par chalte hain wahi par tumhari
aage ki prashikshan hogi bina deri ke hum dono ne doud laga di mujhe toh aisa lag raha
tha jaise main ud raha hun Akshaant pehle pahunche uske kuch pal baad main bhi
pahunch gaya

Akshaant:- bohat ache Vikram lekin tezi sirf doudne me hi nahi hoti yudh me bhi hoti hai
koi bhi shastra tumhare haath me ho tumhari taakat aur tezi usse khatarnaak banati hai
Akshaant ne apne haath aage kiye toh saamne zamin par kuch bhaale ke aakar ke
weapons aa gaye Akshaant ne ek bhala uthaya aur wahi door me pade ek chattan ke upar
fek diya dhadammm ek zor ke awaaz ke saath chataan ke tukde tukde ho gaye main toh
saala hil gaya itni takat dekhkar

Akshaant:- ab tum koshish karo aur dhayan rahe tumhare pure sharir kiaatma ki shakti
tumhe apni bhujao me laani hai uske baad prahar karo aur ek baatapni taakat par bharosa
karo koi sankoch nahijitni prabal tumhari aatma ki icha hogi utni hi tumhare bhujaon me
taakat aayegi maine bhi ek bhala uthaya apne mann ko shant kiyaaur bhaale ko ek chattan
ki taraf fek diya bhala uss chattan se takraya aur gir gaya chattan toota toh nahipar haan
usme darar zaroor aa gayi
Akshaant:- bohat ache pehli baar me hi tumhare prahar me shakti thi par itne se kuch
nahi hoga Vikram tumhe bohat kuch sikhna hai aur waqt kam hai fir koshish karo putra
apne hridaya ko apne mastishk se jodo main abhi bhala uthane hi wala tha ki Guru ji ki
awaaz mere dimag me gunji maine bhala uthaya apni aankhen band aur apne mann
kodimag jo khula chhod diya mujhe aisa laga jaise mere andar kuch jud raha hai asim
shakti ka ehsas hua mujhe apne andar maine aanken kholi bhaale par apni pakad sakht ki
aur puri takat se bhaale ko chattan ke upar fek diya boommm ek zordar dhamaka hua aur
wo chattan chur chur ho gaya

Akshaant:- adhbhut waah maza aa gaya maine aaj tak kisi ko itni jaldi itna sab sikhte nahi
dekha dekhna ek din tumhara naam pure bramhaand janega mujhe bohat garv mehsoos
ho raha hai ki main tumhara Guru hun chalo maine socha tha pehla din kuch halka hi
sikhaunga par ab nahi ye sab abhyas tumhare liye nahi hain ab main bhi dekhna chahta
hun ki tumhare taakat ki had kya hai Akshaant ne mera haath pakda aur hum gayab hokar
uss pahad ke beech me aa gaye jahan kafi ghana junge tha

Akshaant:- aaj baaki ka abhyaas hum yahi kare ge Akshaant ne aankh bandkar kuch kaha
aur apne haath faila diye aur agle hi pal waha ka mahoul hi badal gaya

Wahi dusri taraf Digvijay aur Dhanur ek khali maidan me khade the iss maidan ka koi ant
nahi dikh raha tha Digvijay toh bas idhar udhar dekh raha tha

Dhanur:- ye illusion world hai (bhram ki duniya) yaha jo kuch bhi hota hai usse asli duniya
me koi fark nahi padta chalo shuru karte hain Dhanur ne apna haath aage kiye turant
saamne ek bohat badi diwal ban gayi is diwal ki lambai aur choudai kamse kam 500 feet
ki hogi teer prakatam Dhanur ke aisa bolte uske haathon me teer aa gaya shastra
yamakam aise bolte hi wo teer double ho gaye

Dhanur:- kisi bhi shashtra ka upyog karne ke liye uss shahstra ko apni sharir ki urja se jodo
Dhanur ne teer ko apne mashtishk se lagaya aur kaha purvapari bhavati Dhanur ke iss
mantra ko bolte hi wo teer chamakne laga Dhanur ne apna dhanush nikalateer chadhaya
aur saamne diwal ki taraf chhod diya teer ke dhanush se nikalte hi ek tez gadgadahat hui
aur jaise hi teer diwal se takrayi ek bhayankar blast hua aur wo diwal puri mitti ho gayi
Digvijay toh ye dekhkar freeze ho gaya

Dhanur:- uss diwal ke dehne ka kaaran teer nahi hai mera shakti shroth hai mere andar ki
urja hai jo kisi bhi shashtra ko shakti deti hai tumhe aaj se issi mantra ka ucharan karte
hue apne shashtro ke saath abhyas karna hai tumhe jo bhi chahiye hoga tumhare bolne
maatr se tumhare saamne upasthi t ho jayega jis din tum apne andar ke urja ko sahi shakti
doge aur uss shakti ko apne shashtro se jodne me kamiyab hogetumahre prashikshan ka
pehla charan pura hoga ab main chalta hun jab bhi meri awashyakta homujhe awaaz
denamain aa jaunga ye bolke Dhanur gayab ho gaya aur Digvijay lag gaya apne practice
me wahi door ek agyaat grah me ek zor ka dhamaka hua aur uss dhamake ki roshni ke
beech se ek kaala saaya bahar aaya ye saaya aur koi nahi Asmodeus tha aur iss grah ka hi
naam tha the cross world Asmodeus dheere dheere chalte hue ek gufa ke andar jaa raha
tha uss gufa me se roshni aa rahi thi aur kuch logon ke gaane ki awaaz bhi Asmodeus uss
gufa ke andar chala gaya andar 7 log jo sir se lekar paon tak kaale kapdo me dhake hue
thewo gola banakar baithe hue the aur kuch gaa rahe the un saathon ke beech me ek
cube rakha hua tha jisme se roshni aa rahi thi jo pure gufa ko roshan kare hue thi
Asmodeus chalte hue unke beech me se cube ke paas pahunch gaya un saathon ne jab
Asmodeus ko dekha toh uske kadmo me jhuk gaye

Asmodeus:- khade ho jao mere "Black Apostles" doston ye saathon hai Asmodeus ke Black
Apostles jo najane kitni sadiyon se iss grah par rehkar uss cube ki rakhsha karte hain ye
saathon ek chain me baith kar black magic ka gaana gaate rehte hain iss gaane se pure
bramhand ki burai nikal kar Asmodeus ke andar samati rehti hai issi wajah se Asmodeus
ki taakat har pal badhti jati hai

Asmodeus:- apostles tum sabhi iss grah ke har taraf faile jao aur iss grah ko invisible kar
do koi bhi angel na dekh paye ki ye planet kaha hai aur yaha kya ho raha hai saare apostles
sir jhukakar bahar nikal gaye Asmodeus ne gufa ko band kar diya aur uss cube ke saamne
dhayan me baith gaya

Main soch raha tha ki kya magic ki duniya me koi daayra koi seema hai bhi ya nahi kyu ki
mere saamne ka nazara hi kuch aisa tha jahan abhi bas ek Minute pehle hara bhara ghana
jungle tha ab waha ek bada vishal maidan tha par usse bhi ajeeb ye tha ki ye maidan pure
pahad se kamse kam 10 guna bada dikh raha tha aur upar aasman bhi neela na hoke
saptrangi tha main bas idhar udhar dekh raha tha

Akshaant:- zyada chonko mat Vikram ye sab kaalpanik hai ye puri jagah mere dimag ki
upaj hai ab yaha hum kuch bhi kare koi fark nahi padega ab tumhara prashikshan aur
kathin hone wala hai ho sakta hai isse tumhe chot pahunchetumhe pida bhi ho kya tum
tayar ho

Main:- bilkul maine ye bohat excited hokar bola tha jise dekhkar Akshaant ke chehre par
ek smile aa gayi

Akshaant:- thek hai fir ye batao iss maidan me tumhe kya dikh raha hai
Main:- kuch jagah cement ki bani haiaur kuch jagah reth ki par ret aur cement baar baar
apni jagah badal rahe hain aur ye maidan wastavik jagah se bhi bada hai

Akshaant:- hmm aur kuch maine ek baar dhayan se har taraf dekha arre ye kya jab bhi
reth aur cement apni jagah badal rahi hai zamin ke andar se kuch halka sa bahar nikal raha
hai maine ye baat Akshaant ko batayi

Akshaant:- hmm iss maidan ko "Matibhram" maidan kehte hai 10000 verson mainse 10
hi aise hote hain jo iss chunouti ko paar kar paate hain jo halka sa bahar nikal raha hai wo
ek roo pantaran yantra hai wahi ret aur cement ki jagah badal raha hai sirf itna hi nahi
agar ret aur cement ke jagah badalne ke waqt koi uske upar se guzre toh ye yantr kisi bhi
cheez ka aakar le sakti hai jo guzarne wale ki jaan bhi le sakta hai tumhari chunouti ye hai
ki iss maidan me jitne bhi reth aur cement wali jagah dikh rahe hain tumhe unke upar se
hote hue yaha aana hai

Main:- bas ye toh aasaan hai

Akshaant:- muskurate hue dekhte hain tumhe do baaton ka khayal rakhna hai pehla jab
tum ret ke upar se guzro toh tumhe apna wazan halka rakhna hai warna ret tumhe apne
andar kheech legiaur jab cement ke upar se guzro toh apna vazan badhakar cement pe
daal kar niklo warna cement bhi tumhe apne andar khich legi apne aap ko halka karne ke
liye tumhe apni indriyon ko kaabu kar apne pair ke saare wazan ko apne upari sharir me
daalna hoga aur zyada karne ke liye apne rakt pravaah ko 1000 guna tak badhana hoga
jise tumhare sharir ke har hisse me bhaar padeye bhi tum apni iccha shakti se hi kar paoge
apne dimag ko puri tarah shaant rakhnaaur haan sabse mahatvpurn baat agar tumhare
reth aur cement ke upar se nikalte waqt unki jagah badletoh savadhan rehna kyu ki fir
tumhara saamna roopantaran yantra se hoga aur wo kiska roop dharan kar tumse lade ye
sirf wahi janta hai ab meri phati saala ye toh pakka tha ki aise hi toh ye main paar nahi kar
paunga par subah ke mere prashikshan se mujhe kuch hosla tha

Main:- thek hai Guru ji main tayar hun par ek baat bataiye iss prashikshan ka anth kaise
hoga

Akshaant:- do tarike hain pehla bina kisi rukawat ke tumhe in sab ke upar se kul 5 chakkar
lagane hain aur dusra agar tumhara saamna kisi bhi roop antaran yantra se hua toh bas
ek baar usse harana hai ye kar lo aur aaj ka prashikshan samapt

Main:- thek hai Guru ji main tayar hun maine charo taraf dekha aur doud laga di

Wahi dusri taraf


Digvijay khada soch raha tha ki shuruat kaise kare

Digvijay:- main bhi dhanush baan se shuru karta hun dhanush teer prakatam aur saame
ek dhanush aur teer aa gaya Digvijay ne pratyancha chadayadiwal ki taraf dekha aur kaha
shashtra yamakam par kuch nahi hua teer abhi bhi single hi tha par Digvijay ne zyada
socha nahiapni aankhen band ki aur Dhanur dwara bola gaya mantra dohraya purvapari
bhavati teer chamka par bohat halka sa Digvijay ne teer diwal ki aur kar chhod diya teer
jaakar diwal ke beech me takraya aur gir gaya deewar waisi hi khadi thi

Digvijay:- saala ye toh kuch bhi nahi hua ab kya karun haan koi dusra shashtra try karta
hun gada prakatam aur Digvijay ke haath me gada aa gaya ab dekhta hun ye diwal kaise
nahi toothti aur fir Digvijay lag gaya apna shakti pradarshan karne me purvapari bhavati
gada halka sa hi chamka Digvijay ne puri taakat ke saath gada diwal ki taraf fek diya gada
diwal se takraya par usse kuch fark nahi pada ab Digvijay ko frustratiion hone lagi fir kya
tha saare shastra try kar daale shul farsa chandrahaas vajra aur najane kya kya par diwal
ko koi fark nahi pada Digvijay frustrate hokar wahi baith gaya sur Dhanur ko yaad kiya
turant waha Dhanur prakat hue

Dhanur:- kya hua balak itne me hi haar maan gaye mujhe nahi lagta tumse kuch ho payega
tumhe apne ghar lout jana chahiye

Digvijay:- ye toh ho nahi sakta main bina sikhe kahi nahi jaa raha

Dhanur:- toh fir baith kyu gaye

Digvijay:- toh aur kya karun kabse koshish kar raha hun par kuch ho hi nahi raha

Dhanur:- toh nirash hokar baith jaoge tumhe kya laga yaha koi drav milega jo tum peekar
shaktishali ban jaoge kadi mehnet karni padegi sabse pehle toh ye bhram mitado ki tumhe
kuch bhi aata hai apne mann ko khali kardo yaad rahe ek khali kshaar (glass) ko hi bhara
jaa sakta hai bhare hue ko nahi mantra tab kaam nahi karte jab hum unka uccharan karte
hain balki tab kaam karte hain jab hamara pura sharir hamari aatma uss mantra ka awaha
karti hai apne pure sharir ki apni aatma ki taakat ko apne mantra me daal di aur fir mantra
ka uccharan karo

Digvijay:- dhanya waad Guruvar ab main aisa hi karunga fir Digvijay ne apne dono haath
jode apne dimag ko shant kiyaapna ek haath aage kiya dhanush teer prakatam dhanush
me teer chadhaya shashtra yamakam iss baar teer do hoga ye Digvijay ne teer apne
maathe se lagaya purvapari bhavati is baar teer thoda tez chamakne laga Digvijay ne teer
diwal ki taraf chhod diya teer ke diwal pe lagte hi ek zor ki awaaz hui diwal tuti toh nahi
par usme darar pad gayi

Dhanur:- atti uttam putr bas issi tarah abhyas karte raho jab tak ye diwal toot nahi jati aur
Dhanur gayab ho gaye ek baat bata dun diwar par darar nahi daalni thi pura todna tha
issliye har prahar ke baad agar diwar ko kuch nuksaan bhi hota toh wo fir se thek ho jati
par ab Digvijay me bhi confidence aa gaya tha pure josh se wo lag gaya apna target pura
karne me

Back to hero

Maine ek lambi saans li aur puri taakat se doud laga di meri speed kafi tez thi sabse pehle
mera saamna ret se hua par main ye bhul gaya ki mujhe apna wazan kam karna hai aur
jaise hi mera pair ret me gaya main sidha andar aur main girta hi chala gaya dhoobb ahhh
maine aankhen kholi toh dekha main Akshaant ji ke saamne gira pada tha

Main:- main toh ret ke andar ghus gaya tha main yaha kaise pahuncha

Akshaant:- jab bhi tum ret ya cement me sama jaoge wo tumhe apne andar kheech kar
wapas yahi shuruat me gira dengi ab ye ek nayi musibat matlab jitne baar bhi main ye
maidan paar kar lun agar ek baar bhi main kahi fasa toh firse shuruat karni padegi saala
kaun kehta hai I a s clear karna sabse mushkil hai saalon ye try karke dekhopata chalega
ab aise waahiyaad tark se koi matlab toh nikalna nahi tha toh main lag gaya apni training
me iss baar maine cement ki taraf se jane ki sochi aur laga di doud iss baar mujhe yaad
tha ki mujhe apna wazan badhana hai maine apne dimag ko apne sharir ke urja se jodna
shuru kiyapar ye sab bohat hi zyada mushkil tha ek toh tez doudna aur uspe dimag pe
niyantran kar apna wazan ghatana aur badhana aur in sab ke liye mere paas bas ek ya do
second ka hi waqt tha jab main cement ke karib pahuncha toh mujhe laga ki mera sharir
bhari ho raha hai main cement ke upar se hote hue aage nikal gaya meri khushi ka thekana
nahi tha abhi main kuch aur sochta ki dhaamm maine aankhen kholi toh main Akshaant ji
ke saamne gira pada tha

Akshaant:- bohat ache Vikram tum apna vazan badhane me kamiyab rahe par tum ye
bhool gaye ki jis raftar se tum doud rahe ho tumhe mushkil se ek pal lagega ret ke upar se
guzarne menatija tum apna wazan kam nahi kar paye aur ret ke andar sama gaye yahi
tumhari pariksha hai Vikram vijeta wo nahi hota jisme adhik shakti hoti hai vijeta wo hota
hai jisme apni shakti ka uchut istemal karne ka dimag aur hunar hota hai yaha tumhe jitne
chaho utne mouke milenge apni galti ko sudharne ke par asli yudh me sirf ek shatru
tumhare suvidha ke hissab se tumpe aakraman nahi karega issliye tumhe har tarah ki
chunouti ke liye tayar rehna chahiye ab utho jitna girna pade giro girofir utho giro fir
uthoaur tab tak utho jab tak tumhara lakshya pura nahi ho jata khud par bharosa rakhoaur
apna lakshya pura karo ab maine bhi thaan liya tha ki chahe jitna waqt lage jab tak ye task
pura nahi karunga chain se nahi baithunga fir kya tha main utha aur lag gaya doudne pehle
1012 baar tak ka girna mujhe yaad raha par fir maine ginana chhod diya main lagbhag 3
ghante se doud raha tha par abhi tak ek chakkar bhi pura nahi kar paya tha halki halki
thakan bhi ab mujhe lagne lagi thi par main laga hua tha aise hi ek baar fir reth me faskar
main Akshaant ji ke saamne gira main uthkar fir doudne hi wala tha ki

Akshaant:- ruko Vikram

Vikram:- ji Guru ji

Akshaant:- pehle bhojan kar lo fir prayas karna

Main:- ek do baar aur koshish kar leta hun Guru ji

Akshaant:- vivek se kaam lo Vikram khali pet tum ekaagra nahi reh paoge subah se laga
hua tha ab bhuk toh mujhe bhi lagi thi

Main:- jaisa aap kahe Guru ji fir humne lunch kiya aur main lag gaya apni training me main
din bhar laga raha ek baar toh pura chakkar bhi bina kahi fase pura bhi kar liya tha par fir
dusre round me cement me fas gaya aur wapas starting line pe ab shaam dhal chuki thi
par main sab kuch bhul kar laga hua tha

Akshaant:- ruk jao Vikram aaj ke liye itna kafi hai kal dobara prayas karna

Main:- par Guru ji abhi tak main safal nahi hua hun

Akshaant:- janta hun Vikram par maine ye toh nahi kaha tha ki ye viniyog (task) tumhe aaj
hi pura karna hai kal taro taaza hokar fir se prayatn karna waise bhi tum kaho ya na kaho
saaf dikh raha hai ki tum kafi thak chuke ho sharir aur mastishk dono ko aaram dena bhi
ati awashyak hai

Main:- theek hai Guru ji jaisa aap kahe waise Guru ji ki baat sach thi zindagi me pehli baar
main thaka hua thawo bhi buri tarike se Akshaant ji ne kuch mantra padhe wo jagah firse
jungle me badal gayi Akshaant ji aage chal diye main bhi Guru ji ke peeche peeche chal
diya par main kafi udas tha ye pehli baar tha jab main koi task me fail hua tha ye baat
Akshaant ji ne shayad notice kar li
Akshaant:- Vikram ek baat yaad rakhna zindagi me jeetna jitna aawashyak hai haarna bhi
utna hi mahatva purn hai agar tum haaroge nahi toh khud ko ajay maanne lagoge aur
nischit hi ek na ek din bohat buri tarah haaroge jo tumhare manobal ko puri tarah tod
dega haarne se humare andar ki udarta jeevit rahti hai parajay hume aur aage badhne ke
liye prerit karta hai issliye nirash na ho isse haar nahi ek aur mouka samjho punah jeetne
ka waise ek baat bataunshayad tumhara manobal turant hi lout aaye

Main:- kaun si baat Guru dev?

Akshaant:- tumne aaj maidan ka ek chakkar safalta purvak pura kiya hai mujhe ye karne
me 6 mahine lage the

Main:- kya nahi Guru ji bas aap mujhe khush karne ke kiye ye keh rahe hain

Akshaant:- nahi Vikram prashikshan ke maamle me main kabhi jhoot nahi bolta sach me
ye baat sunke main bohat khush ho gaya main aur Akshaant ji fir pahadi ki choti ki taraf
chal diye shaam dhal rahi thi hamare upar pahunchne tak andhera ho chuka tha tents ke
saamne hi Shaila aag jalakar baithi hui thi Guru dev kahi nazar nahi aa rahe the hum Shaila
ke paas ja kar baith gaye meri haalat puri patli ho gayi thi mujhse toh baitha bhi nahi jaa
raha tha Shaila ko meri haalat dekhkar hasi aa gayi

Shaila:- waah kya lag rahe ho Vikram ekdum taro taza

Main:- aisa lag raha hai jaise 7 janmo ka kaam ek din me kar diya hai maine meri iss baat
pe Shaila aur Akshaant dono hi hans diye

Akshaant:- Vikram tum jaakar kuch der aaram karo main bhojan tumhare patwas me hi le
aata hun

Main:- thank you Guru ji main jaise taise uthkar apne tent me pahuncha aur flat ho gaya

Shaila:- toh kaisa raha fir aaj ka prashikshan

Akshaant:- bohat acha

Shaila:- kya karwaya fir aaj

Akshaant:- matibhram vasumati Akshaant ke aisa bolte hi Shaila ki ankhen fati ki fati reh
gayi

Shaila:- kya tum pagal ho gaye ho kya maana ki Vikram thoda alag hai tez haipar iska ye
arth toh nahi ki usse itna kathin karya diya jayewo bhi pehle hi din matibhram vasumati
toh bal chhal prashikshan ka choutha sthar (level) hai waha tak pahunchne ke liye hi
tumhe 5 varsh lag gaye the aur paar karne me 3 varsh for baar toh tumhari jaan jaate
jaate bachi thi aur tum pehle hi din usse

Akshaant:- shaant Shaila shaant mujhe pata hai bal chhal kya chiz hai par tum hi batao
humare paas chara hi kya hai mere paas sirf ek hafta hai usse nipun banane ke liye aur
baat sirf itni hi nahi hai pata nahi mujhe aisa lagta hai jaise Vikram ye namumkin karya bhi
kar lega uski urja maine mehsoos ki hai Shaila aur yakin maano maine aisa pehle kabhi
mehsoos nahi kiya pata hai Vikram ne maidan ka ek chakkar pura bhi kar liya

Shaila:- adbhut ye toh kamal ho gaya

Akshaant:- haan aur mujhe lagta hai Vikram iss chunouti ko bhi paar lega

Shaila:- kya uska mukabala roopantaran yantra se hua?

Akshaant:- nahi abhi nahi tumhe toh pata hai roopantaran yantra kaise kaam karta hai
par mujhe lagta hai kal mukabla zaroor hoga

Shaila:- main bhi kal tum dono ke saath chalungi

Akshaant:- thek hai tum baitho main Vikram ko bhojan dekar aaya Akshaant ne mujhe
aakar jagaya uske haath me khana tha mera badan bohat dukh raha tha main jaise taise
utha aur bhojan kiya aur wapas let gaya abhi mujhe lete kuch hi der hue tha ki Guru dev
andar aaye

Wahi dusri taraf:

Digvijay ko abhyas karte hue pure 3 din ho gaye the ek baat batana toh main bhool hi gaya
mirror world me na bhook lagti hai na pyas issliye Digvijay bhi nahi thaka tha wo bas
lagatar uss diwal ko bhedne ki koshish karta raha aur kafi had tak kamiyab bhi hua tha
uske kuch waar se wo diwal kayi baar aadhi se zyada tooti thi par firse jud jati thi

Digvijay:- saala ye diwal bhi ambuja cement se toh nahi bana hai toottha hi nahi abhi
Digvijay koi aur prayas karta ki waha Dhanur prakat hue Dhanur ko dekhkar Digvijay ne
unhe naman kiya

Dhanur:- atti uttam putra tumhara prayas tumhari dridhta sara haniya hai

Digvijay:- kintu Guruwar abhi tak main safal nahi hua hun
Dhanur:- par tumne haar nahi maani yahi ek mahan yodha ki nishani hai tumhe pata hai
tumse galti kaha ho rahi hai

Digvijay:- nahi Guruwar

Dhanur:- tum waar toh pure mann se kar rahe hokintu tumhare shashtro me se urja kam
nikal rahi rahi hai koi bhi prahar karne se pehle apne shashtra ko apni taakat do aisa
samjho ki tum uss diwal pe koi shashtra se nahi balki apne sharir se waar kar rahe ho ab
punah prayas karo Digvijay ne firse teer dhanush ka awaha kiya teer ko apne maathe me
rakh kar kaha shashtra yamakam teer ke double hote hi Digvijay ne apni aankhen band ki
aur apne pure sharir ki urja apne haathon ko dene laga purvapari bhavati mantra ke saath
teer diwal ki taraf teevr gati se badh gaya aur booomm ek zor ka dhamaka huaaur pura
diwal nasht ho gaya

Dhanur:- atti uttam putra tumne apne shiksha ka pehla charan pura kiya dusra charan
aarambh kare

Digvijay:- ji Guruwar

Dhanur:- astra aur shashtra me kya fark hai

Digvijay:- shastra vo hathyar hai jo hum apne haathon se chalate hain astra ko hum
mantron ki shakti se istemal karte hain

Dhanur:- atti uttam aur aise kaun se astra hain jo atti shaktishali hain hum unhe har roz
dekhte bhi hain par unki shakti ko mehsoos nahi kar paate

Digvijay:- shama kare Guruwar mujhe nahi pata

Dhanur:- dharti aur akash inse zyada shakti hame koi nahi de sakta yahi hai tumhare
prashikshan ka dusra charan tumhe kisi bhi shashtra ka istemaal karte waqt usse dharti
ya Aakash ke shakti ke saath jodkar prahar karna sikhna hai iss vidhya se tumhare waar
ko rokna lagbhag asambhav ho jayega kintu yaad rahe jitni prabal tumhari icha shakti hogi
utni hi shakti tum dharti se ya akash se le sakte ho dharti se shakti lene ke liye tumhe
"dhartiyem niravdhayati" iss mantra ka awaahan karna hai aur Akash se shakti lene ke liye
"gaganam niravdhayati" iss mantra ka awaahan karna hai chalo pehle dhayan awasta me
baith kar in dono mantro ka awaha karo jab tumhe lage ki tum inka istemal ab apne
shashtron ke saath kar sakte ho tab abhyas aarambh karna Digvijay bhi Dhanur ka
ashirwaad lekar baith gaya dhayan lagane

Back to hero:
Abhi mujhe lete kuch hi waqt hua tha ki Guru dev andar aaye unke haath me kuch tha
Main:- namashkar Guru dev

Baba Vishakht:- chiran jeevi bhav ye lo putra isse pee jao tumhari saari thakavat door ho
jayegi main bina koi sawal puche Guru devjo drink jaisa kuch laaye the pee gaya

Baba Vishakht:- kuch hi der me tum halka mehsoos karoge putra tumne aaj bohat acha
abhyas kiya main tumse bohat prassan hun issliye tumhe kuch dena chahta hun

Main:- kya Guru dev? Guru dev ne apna daaya haath aage kiya ek book prakat hua

Baba Vishakht:- ye lo putr ye kitab rakho bhavishya me ye tumhare bohat kaam aayegi ab
tum aaram karo meri bina koi baat sune Guru dev bahar chale gaye book kafi moti thi aur
badi bhi maine book ke upar nazar daali jahan uska naam likha tha "Shastra" (supra gupta)
"Weapons" (Very secret)

Main wapas starting line pe gira hua tha mere saamne Akshaant ji aur Shaila khade the ek
taraf jahan Akshaant ji ke chehre pe muskurahat thi wahi dusri taraf Shaila ke chehre pe
avishwas aur prashansha ke bhaav the aur hote bhi kyu naa aaj maine pure maidan ke do
chakkar safalta purvak paar jo kar liye the abhi meri training ko start hue sirf ek ghanta hi
hua tha aur maine ye kar dikhaya tha yahi nahi aaj subah ki shuruat bhi meri achi rahi thi

Aaj subah:

Guru dev:- putra kal raat jo maine tumhe drav diya tha ab wo tumhe nahi milega tum
dekh hi rahe ho pehli baar kal tumhe itni thakan aur dard mehsoos hui ye toh bas shuruat
haiaage aur bhi kathinayi aayegi main toh ye sunkar hi thoda nervous ho gaya tha ki kal
raat wala drink firse nahi milega kyu ki wo drink wakayi kamal ka tha usse peene ke kuch
hi Minuton me mujhe acha lagne laga tha maine socha tha ki ab koi tension nahi
hogichaahe jitni bhi hard training ho jam ke mehnat karunga aur raat ko wo drink pilunga
jise saari thakan saara dard mit jayega par Baba ne toh wo drink dene se hi mana kar diya
issliye main nirash ho gaya tha

Baba Vishakht:- mayus na ho putra aagar tum lagatar uss drav ka sevan karoge toh uske
aadi ho jaogejo achi baat nahi hai waise bhi ye toh bas prashikshan haiasli yudh me tumhe
vishraam karne ka waqt hi nahi milega fir kaise tum apni thakan mitaoge aur dard sahoge

Main:- iska koi upay Guru dev

Baba Vishakht:- yog putra yog yog aur dhayan se na sirf hamare dimag ka vikas hota hai
balki yog hamare har dukh ka nivaran bhi hai aaj main tumhe yahi sikhaunga aaj jab tum
dhayan awastha me apne chit ko firse uss roshni ke kareeb le jaotab apne indriyon ko
apne sharir se jodne ki koshish karnaisse tumhari koshikayon ko mazbooti milegi jitna tum
uss roshni ke sameep rahogetumhari aantarik shakti ka vikas hoga isse tum adhik se adhik
parishram bina kisi thakawat ke kar paaoge aur dard ka ehsaas bhi kam ho jayega jaisa
Guru dev ne kaha tha maine waisa hi kiya jab mera dhayan tuta toh mujhe kal ke mukable
aaj apne andar kuch zyada hi taakat aur urja mehsoos ho rahi thi aur ye mere aaj subah
ke running practice me dikh bhi gayi aaj main Akshaant ji ke barabar tez doud raha tha ye
dekhkar Akshaant ji bhi kafi surprise ho gaye the fir main aur Akshaant ji nikal pade apne
prashikshan wali jagah ki aur raaste me hume Shaila dikhi jo apna abhyas kar rahi thi hume
jata dekh wo bhi hamare saath chal padi waha pahunchkar Akshaant ji ne kal wala mahoul
ban diya aur main lag gaya apni training me kuch der tak toh mera kal jaisa hi haal rahapar
aaj meri sochne samjhne aur faisle lene ki shakti me bhi tezi aayi thi dekhte hi dekhte ek
ghante me hi maine do chakkar safalta purvak maar liye par issi khushi me apna
concentration level kho diya aur dhaaamm cement me phas gaya aur back to start

Back to present:

Shaila:- kya baat hai Vikram kal jab Akshaant ne bataya tha ki tumne ek chakkar pura kar
liya hai toh mujhe yakin hi nahi hua tha par aaj toh tumne ek nahi do do chakkar pure kar
liye

Akshaant:- haan par apni ekagrata kho di Vikramutsah achi baat haipar uska bhi ek sahi
waqt hota hai tumhara lakshya 234 chakkar nahi pure 5 chakkar pura karna hai tabhi
tumhari jeet hogi usse pehle utsah se bharkar apni ekagrata khona sahi nahi hai mujhe
bhi apni bhool ka ehsaas ho gaya tha

Main:- maaf kare Guru ji ab main dhayan dunga

Akshaant:- koi baat nahi jao punah koshish karo issi ke saath main lag gaya firse wahi
Shaila bohat utsahit hokar mujhe dekh rahi thi meri speed dekhkar wo baar baar shock
ho jati thi

Shaila:- iski gati samay ke saath badhti hi jaa rahi hai

Akshaant:- haan mujhe andar se abhaas ho raha hai ki ye ek din bramhaand me sabse
gatisheel hoga

Shaila:- sirf utna hi nahi mujhe lagta hai ki ye har vidhya sikhne ke kabil hai
Akshaant:- hmm dekhte hain idhar main pure josh ke saath doude jaa raha tha iss baar
bhi maine do rounds aaram se paar kar liye 3rd bhi complete hone hi wala tha ki last reth
ke me fas gaya maine apni aankhen band ki pura maidan mujhe dikhne laga ye bhi ek gift
tha jo mujhe dhayan me baithne se mila tha main har jagah ko jo pehle se dekh chuka
hunusse dhayan ki awastha me na sirf dekh sakta tha balki uss sthaan me kab kya hota
hai wo bhi samjh sakta tha abhi main wahi kar raha tha ye sab main starting point par hi
kar raha thajahan Akshaant aur Shaila dono khade the abhi dono kuch kehte usse pehle
hi maine aakhen khol di aur laga di daud maine kaha galti ki haiwo sab mujhe pata chal
chuka tha meri gati aur bhi tez ho chuki thi meri raftaar dekh Shaila aur Akshaant stabdh
reh gaye abhi dono aur kuch samjh paate usse pehle hi maine for rounds paar kar liye the
ye mera aakhri round tha Akshaant aur Shaila dono ki hi aankhon me vismay aur
prasannata ke bhaav the main apne target ko pura karne ke bohat hi kareeb tha bas ek
cement trap aur ek reth trap uske baad mera target pura iss khushi me maiyaha tak ki
Akshaant aur Shaila bhi asli problem bhool chuke the ''roopantaran yantra'' ye mera
aakhri hurdle tha maine badi aasani se cement trap paar kar liya aur reth trap ki aur badha
reth ke upar apna wazan kam rakh ke paar hone hi wala tha ki booomm ek zor ka dhamaka
hua dhamaka itna bada tha ki upar jo kalpanik akash bana tha wo tak hil gaya main udta
hua ek cement trap ke upar me gira uss trap ne mujhe apne andar kheech liya aur main
wapas starting point me Akshaant aur Shaila toh dhamake ke baad jo saamne aaya usse
hi fati aankhon se dekh rahe the idhar mujhe kafi chot aayi thi main girte hi behosh ho
gaya tha par kyu ki mere cells kafi active ho chuke themujhe kuch hi palon me hosh aa
gaya maine apne aap ko starting point me dekha toh main firse nirash ho gaya maine aaju
baaju dekha toh Akshaant aur Shaila khade the maine unhe aawaz di par wo toh ek tak
saamne dekh rahe the maine unki nazar ka peecha kiya aur saamne dekha toh meri haalat
un dono se bhi kharaab ho gayi

Main:- ohh teriki ye kaha se aaya tab mujhe roopantaran yantra yaad aaya

Main:- ye kya roop le liya isne isse ladna padega mujhe maine Akshaant ki taraf dekha toh
paya ki dono hi mujhe dekh rahe hain wo bhi taras bhari nazro se

Main:- kya mujhe isse ladna padega? Akshaant ne bas haan me mundi hiladi

Main:- ye kya mazak hai nahi ladna mujhe isse

Akshaant:- tum piche nahi hat sakte Vikram jab tak tum isse nahi ladtehum iss mayavi
duniya se bahar nahi jaa sakte ab ye kya bakar hai yaar isse ladne ke baad bachunga hi
kaha jo bahar niklunga ajeeb pareshani thi par tension me sirf main hi nahi tha ye dono
bhi the Akshaant ne bhi ye chakravyun toda tha rupantaran yantra ka saamna kiya tha par
yantra ne aaj tak jab bhi roop badla tha toh kisi saand ka ya kisi gende ka kabhi kisi chote
danav ka toh kabhi zyada se zyada devils ka par abhi jo hamare saamne tha aisa kabhi kisi
matibhram maidan me nahi hua tha iss waqt hamare saamne ek 100 feet se zyada lamba
saanp tha jiske fun se laar jaisa kuch nikal kar gir raha tha jahan jahan wo laar gir raha tha
uss jagah se dhuaan nikal raha tha

Wahi dusri taraf:

2 pahar aur beet chuke the pehle pahar me Digvijay ne dhartiyem niravdhayati mantra ka
awaha kiya tha aur dusre pahar me gaganam niravdhayati ka Digvijay ko apne andar dharti
aur Akash dono ki hi shaktiyon ka abhaas ho raha tha jab usse laga ki ab wo tayar hai toh
usne apni aankhen khol di

Digvijay:- ab mujhe apni shakti parakhni chahiye dekhun toh ye dono mantra kitne
taakatwar hain yudh vispradha Digvijay ke ye bolte hi waha 10 ranshoor (warriors) prakat
hue hathe kathe 6 5 feet ke ranshoor sabhi ke ek haath me talwar aur dusre me alag alag
hathyar the wo sabhi Digvijay ki taraf badhne lage Digvijay bhi tayar tha Digvijay ne apne
haath aage kiye uske haath me ek talwar chamakne lagi Digvijay ne dharti ka awaha kiya
aur kaha pratighath mitti ke rang ki roshni nikli aur sabhi warriors pe padi ek zor ka blast
hua aur wo roshni sabhi ke sharir ke aar paar ho gayi sabhi warriors gir gaye Digvijay ki
khushi ka thekana nahi tha par ye khushi zyada der tak nahi tiki kyu ki warriors firse khade
ho gaye aur iss baar unki lambai aur zyada ho gayi wo sab ek saath milkar Digvijay par
aakraman karne lage Digvijay bhi kam nahi tha uski talwar akele hi sabhi warriors ke
prahar ko rok rahi thi par Digvijay khud attack nahi kar pa raha tha warriors ki speed itni
zyada thi ki Digvijay ko waqt hi nahi mil raha tha attack karne ka achanak warriors ki speed
aur badh gayi ab Digvijay ke liye ye attack rokna mushkil ho gaya tha achanak ek warrior
jiske ek haath me gadaa tha Digvijay ke peeth par laga Digvijay udte hue door jaa gira
Digvijay ne jab saamne dekha toh sabhi warriors uski taraf aa rahe the

Digvijay:- saala ye toh rukne ka naam hi nahi le rahe hain aisa hi chalta raha toh ye sab
toh meri chatni hi bana denge kya karun haan Digvijay ne Aakash ka awaha kiya aur kaha
pratighath Digvijay ke haathon se bijli nikli aur sabhi warriors pe padi bijli sabhi ke seene
ke aar paar ho gayi sabhi warriors gir gaye

Digvijay:- haahh bach gaya par ye shanti bas kuch pal ke liye hi thi sabhi warriors firse
khade ho gaye iss baar wo sab aur lambe choude ho gaye the ab Digvijay ki fati warrior ne
Digvijay par humla karna shuru kar diya tha iss baar wo sab aur tez ho gaye the Digvijay
unke hamle sambhal nahi paa raha tha ahhh ek warrior ne talwar chalai jo sidhe Digvijay
ke daayen kandhen par lagi aur digijay ki cheekh nikal gayi par warriors yahi par nahi ruke
aur lagatar Digvijay par hamla karte rahe kuch hi der me Digvijay ki haalat patli ho gayi
sharir ka aisa koi hissa nahi bacha tha jahan uspe waar nahi hua tha har jagah se khoon
nikal raha tha Digvijay ko apna anth saamne dikh raha tha itne me ek warrior ne apni
talwar chalai jiska nishana Digvijay ki gardan thi Digvijay ke paas itni shakti nahi bachi thi
ki uss waar ko rok paye wo chup chaap pada raha kadkadk kaddd ek zordar aawaz ek saath
bijli kadki aur sabhi warriors pe padi sabhi warriors raakh ban gaye ek aur baar bijli kadki
aur uske beech se Dhanur nikale aur Digvijay ke saamne khade ho gaye isse aage Digvijay
nahi dekh paya aur behosh ho gaya

Wahi dusri taraf:

Dhawalgarh apne hero ki mom Menakshi ji ka maika

subah ke char baj rahe hain ek aalishan mahal jaise ghar ke ek bedroom me ek ladki soyi
hui hai uske chehre pe ek halki si muskurahat hai jo kaamdev tak ka dil chura le itni
khoobsurat ladki jiski taarif ke liye shayad koi shayri koi Kavita ya koi geet hi nahi bani par
ye muskura kyu rahi hai chaliye iske sapne ko bhi dekh lete hain wo ladki ek khoobsurat
garden me hai aur bas chali jaa rahi hai achanak usse koi peeche se awaaz deta hai par ye
kya wo ladki palat hi nahi paa rahi hai wo bohat koshish karti hai par palat nahi paati usse
lag raha tha jaise usse koi rok raha hai palatne se itne me ek awaaz uske kaano me padti
hai putri abhi sahi samay nahi aaya hai tera usse milne ka iss awaaz ke saath uss ladki ki
aankhen khul jati hai wo uth ke baith jati hai uss ladki ka naam hai ''Avantika''

Digvijay behosh pada tha Dhanur uske saamne khade hue the Dhanur ne apna haath
Digvijay ke sar pe rakha unke haathon se ek safed roshni nikli aur Digvijay ke andar chali
gayi Digvijay ke saare zakhm bhar gaye aur usse hosh aa gaya

Digvijay:- dhanya waad Guruwar

Dhanur:- tumne ranshooron ko kyu bulaya jab tum tayar nahi the

Digvijay:- maine apne andar dharti aur Aakash dono ki hi shakti mehsoos ki thi Guruwar
mujhe laga main tayar hun issliye maine yudh karne ki sochi

Dhanur:- aadha pet bhojan kabhi bhi sharir ko puri urja nahi deta putra waise hi aadhi
shakti tumhe Vijayi nahi bana sakti jab tak tumhara sharir dono ki hi urja se puri tarah
nahi bhar jata tum tayar nahi ho shakti aazmane ki liye
Digvijay:- mujhe maaf kar dijiye Guruwar ab aisi galti nahi hogi Digvijay wapas dhayan me
baith gaya aur Dhanur gayab ho gaye

Wahi dusri taraf:

Meri haalat kharab ho chuki thi main pichle 6 ghante se laga hua tha par abhi tak saamp
ko ek kharoch tak nahi pahuncha paya tha wo toh acha hai ki ab mere chot turant bhar
jaate the warna abhi tak toh mera kaam tamaam ho chuka hota ye saala saamp bhi ek
number ka dheet tha saale ko lagti hi nahi thi maine aag se paani se chattan se har tarike
ka waar ab tak ispe kar liya tha par kuch fayeda nahi hua tha ab maine aag paani ityaadi
se ladne ka hunar kaha se sikh liya isse janane ke liye ek chote se flashback me jaate hain
ek raat pehle Guru ji ne jo drav pilaya tha uska asar turant hua meri thakan puri mit gayi
aur ab mujhe neend bhi nahi aa rahi thi Guru ji ne jo kitaab di thi maine usse padhne ki
sochi jaise hi maine kitab kholi ek naya chamatkar hua book ki pages books se nikalkar
chidiyon ki tarah ek ek karke hawa me udne lagi dekhte hi dekhte saari pages mere aas
paas fail gayi ab saala mujhe ye samjh nahi aa raha tha ki Guru ji ne kitab padhne ke liye
diya hai ki udaane ke liye abhi main kuch aur sochta ki ek page udte hue mere saamne
aaya aur aur ruk gaya vithnuthe rahasayam (unfold the secret) uss page par bade bade
aksharo me ye shabd likhe hue the mere ye shabd dohraye pure tent me ek tez roshni
falie gayi uss roshni ke kam hote hi saare pages ek ek karke mere aankhon ke saamne aate
rahe aur main unme likha mantra yaad karta raha har page par shashtron ko astron ki
tarah kaise istemaal karna hai ye likha hua tha usme agni aur jal ka awaha mantraunko
paida karne ki vidhi bhi likhi hui thi kisi bhi shashtra ka roop badalkar kuch naya banana
aur bhi bohat kuch likha tha jo aage chalkar pata chalega main kareeb 3 ghante tak padhta
gaya jab bhi main kuch padhta mujhe aisa lagta jaise main sirf uss mantra ko padh hi nahi
raha hun balki shastron ke saath unka prayog bhi kar raha hun ab mujhe kafi kuch pata
chal chuka tha par itni der tak padhne ke baawajud main kitab ka bas do percent hi padh
paya tha jaise hi mere mann main aaya ki main ab baad me padhungasaare pages wapas
book me sama gaye book bandh hokar mere haathon me aa gayi gazab ye toh mere mann
ko bhi padh leti hai

Back to Present:

par main haar toh maan nahi sakta tha maine apne mann ko shaant kiya aur doud pada
saamp ki aur taklif ye thi ki uske 3 sir the issliye usse chakma dena mushkil tha mujhe apne
karib aata dekh usne apna zeher meri taraf phenka uska zehar green colour ka tha aur kafi
zyada matra me tha main apne ghutno par slide karte hue zahar se bachta hua aage nikal
gaya ab maine do tarfa humle ki sochi maine talvar ka awaha kiya talwar haath me aate
hi maine usse saamne ki taraf fek diya jalam parigraham talwar uss saamp ke ek sir ke
saamne pahunchkar ruk gayi aur usse full force me paani nikal kar saamp ko lagne lagi ye
force bohat zyada tha saamp ko lagte hi wo peeche jane laga ye pehli baar tha jab maine
saamp ko back foot me kiya tha main doudte hue saamp ke peeche pahuncha uske fan
me pahunchkar maine ek zor ki chalang lagai aur dhadd saamp ke ek sar ko kaat diya meri
khushi ka thekana nahi tha maine saamne dekha toh Akshaant aur Shaila bhi fati aankhon
se meri taraf dekh rahe the abhi main aage badhta ki Shaila ke mouh se ek zordaar cheekh
nikli jab tak main kuch samjh pata der ho chuki thi mujhe aisa laga jaise mujhe koi tightly
baandh raha hai ye uss saamp ka fan tha jo mujhe lapet raha tha meri toh haalat kharaab
ho gayi maine upar dekha toh ek naya jhatka mera intezar kar raha tha saamp ka sir jo
maine kaat diya tha uski jagah ek naye sir ne le li thi mera pura confidence hi khatam ho
gaya idhar saamp apna fan lagatar kaste hi jaa raha tha mujhe apni haddiyan tutati si lag
rahi thi dard ki adhikta se main behosh ho gaya

Shaila:- nahiii Vikram toh behosh ho gaya hume hi kuch karna hoga warna wo bach nahi
payega

Akshaant:- hum kuch nahi kar sakte Shaila matibhram ka ye niyam hai ki jo phase khud
nikle

Shaila:- toh tumne yahi chunouti kyu chuni fir

Akshaant:- mujhe kya pata tha ki roopantaran yantra aisa vikral roop bhi le sakta hai
matibhram maidan ki kitab me bhi aisa kuch kabhi nahi hua hai

Shaila:- toh ab hum kya kare

Akshaant:- kuch nahi kar sakte hum jo karega Vikram karega meri aatma mere sharir ko
chhod fir ussi roshni ke saamne khadi thi jahan har din dhayan awashta me main
pahunchta hun

Roshni:- kya hua Vikram itne me hi haar maan gaye tum itne kamzor nahi ho Vikram khud
ko pehchano apne andar jhaanko ye choti moti baadhayen tumhe nahi rok sakti utho inka
mukabala karo main toh bas uss roshni ki awaaz me hi ho gaya tha roshni meri taraf badhi
aur mujhe chu liya mujhe ek jhatka sa laga aur meri aankh khul gayi main ab bhi uss saamp
ke fan me fasa hua tha par ab mujhe zara sa bhi dard nahi ho raha tha mujhe hosh me
aata dekh Akshaant aur Shaila me bhi josh aa gaya agni prakatam mere pure sharir se agni
nikalne lagi saamp agni bardasht nahi kar paya aur apna fan dhila kar diya maine ek unchi
chalang maari aur saamp ke thek saamne khada ho gaya saamp ne apne teeno sarse ek
saath mere upar zeher chhoda jo ki bohat zyada matra me tha abhupappati (Protection)
mere saamne ek shield ban gayi jisme sara zahar ruk gaya ab mujhe ye khel khatam karna
tha maine uska waar uspe hi karne ki sochi vish bramzaate saara zeher jo meri banayi
shield me ruka hua tha wo wapas ussi ki taraf badh gaya maine apne dono haath failaye
ek haath me fire dikhne laga aur dusre me water maine dono haathon ko milaya samsrava
(flow together) aur apne haath aage kar diye fire aur water dono ek saath par alag alag
disha me faile gaye aur jo roop liya usse dekh kar Akshaant aur Shaila stabd reh gaye kyu
ki mere teeno hathi yaar (fire water poisen) ne bhi saamp ka roop le liya tha wo saamp
kuch samjh pata usse pehle hi mere teeno saampo ne uske alag alag hisso ko apne mouh
ke andar le liya aur nigalte chale gaye aur dekhte hi dekhte uss saamp ko pura nigal gaye
saamp ke khatam hote hi wo teeno bhi gayab ho gaye sab kuch shaant aur yaha mera
dance chalu wo bhi shadi type thodi der baad jab mera excitement control me aaya toh
maine saamne dekha jahan Akshaant aur Shaila aise khade the jaise koi bhoot dekh liya
ho abhi main unke paas jata ki kadkad kaddd ek zor ki bijli kadki aur uske beech me se ek
sadhu type ke aadmi bahar nikle aur mere paas aaye abhi main kuch bolne wala hi tha ki
Akshaant aur Shaila daudte hue aaye aur unke aage jhuk gaye unko aisa karte dekh main
bhi jhuk gaya

Unknown:- utho bacho hum teeno uth gaye

Main:- aap kaun hain? unke jawab dene se pehle Akshaant ne jawab de diya

Akshaant:- Vikram ye Flosanto hain mati bhram chunouti ke rachayita yahi nahi iss
bramhand me jitni bhi chakravyu hain uske rachayita bhi yahi hai

Flosanto:- Vikram main tumhare parakram se bohat prassann hun aaj tak kisine mere iss
chunouti ko itni jaldi aur itni sahajta se paar nahi kya hai lai kaha se aasani se paar kiya
saare nut bolt dheele ho gaye iss chakkar me par bolta bhi kya

Main:- dhanyawaad Flosanto

Flosanto:- main tumhe kuch dena chahta hun putra fir Flosanto ne mere sar ke upar haath
rakha aur kuch budbudaye unke haathon se roshni nikalkar mere andar samane lagi meri
aankhen band ho gayi gyaan ka saagar mere andar samane laga Flosanto ne apna haath
hataya aur bole

Flosanto:- putra maine tumhare andar iss bramhand ke saare chakravyu ke raaz daal diye
hain ab aisa koi chakravyu nahi hoga aisi koi gutthi (puzzle) nahi hag I jise tum suljha nahi
sakte yahi nahi agar tum chaho toh khud bhi badi se badi chakravyu ki rachna kar apne
dushman ko fasa sakte ho maine Flosanto ke paav chue vijayi bhav kehkar wo gayab ho
gaye unke gayab hote hi matibhram maidan bhi gayab ho gaya aur hum wapas jungle me
aa gaye par ye kya abhi bhi din nikla hua tha maine Akshaant ki taraf dekha wo meri
confusion samjh gaye

Akshaant:- roopantaran yantra ke roop badalte hi hamara samay chakra ruk gaya tha par
aaj ka prashikshan yahi rokte hain Vikram tum jaakar vishram karo main dono ko bye
bolkar nikal gaya

Shaila:- Vikram agni aur paani dono ka istemaal itne ache se kaise kar raha tha hume usse
puchna chahiye

Akshaant:- sirf agni aur paani ka hi nahi aur bhi bohat kuch kiya hai aaj usne par hume
puchne ki zaroorat nahi

Shaila:- kyu?

Akshaant:- jab Vikram ne shakti ka istemal karna aarambh liya tha tab Guru ji ne mere
mastishk se judkar kaha tha ki sahi waqt par hume sab pata chal jayega

Shaila:- ohh chalo fir hum bhi upar chalte hain

Wahi dusri ore:

Digvijay ko dhayan me baithe do din ho gaye the usse apne andar asim shakti ka abhas ho
raha tha par pichli baar ki galti ki wajah se wo koi chance nahi le raha tha par ab uske
andar urja itni badh gayi thi ki wo bardasht nahi kar paa raha tha ankhen kholo putra tum
tayar ho Digvijay ne turant apni aakhen khol di ye awaz Digvijay me antarman se aayi thi
jo Dhanur ne kahi thi par urja itni adhik thi ki Digvijay ko urja sambhalne me kuch waqt
laga

Digvijay:- yudh vispradha aur 10 warriors prakat hue aur Digvijay ki taraf dono taraf se
badhne lage iss baar Digvijay ne kuch nahi kiya bas chup chap khada raha jaise hi warriors
ne waar karne ke liye apne talwar uthaye Digvijay ne apna ek haath aage kiya aur dharti
ka awaha kiya pratighaath ek mitti ke colour ki roshni nikli aur warriors pe padi aur ek
taraf ke warriors khud mitti ho gaye Digvijay ne apna dusra haath aage kiya aur akash ka
awaha kiya pratighaath Digvijay ke haathon se tez bijli nikli aur warriors raakh ho gaye ek
tez gadgadahat ke saath Dhanur prakat gue par iss baar wo akele nahi the unke saath the
Agrasena
Agrasena:- bohat ache baalak bohat kam waqt me tum kafi kuch sikh gaye ho yaha se
Dhanur ka kaam samapt hua aage ka prashikshan main tumhe dunga Digvijay ne Dhanur
ka aashirwaad liya Dhanur gayab ho gaye

Agrasena:- abhi tak tumne astra aur shastra ko sidhe tarike se chalana sikha hai aur dharti
avum Aakash ki shakti ko vash me karna jana hai ab main tumhe "samayojana vibjuti"
(combine power) sikhaunga jitne bhi yudh kala abhi tak tumne sikhe hain usse tum
saamne wale ko tabhi hara sakte ho jab tak wo tumse kam ya fir tumhare jitna hi
shaktishali ho par iss yudh kala se tum apni shakti jitni chahe utni badha sakte ho

Digvijay:- (mann main) wow ab aayega maza agar maine ye sikh liya toh wo Vikram kya
main toh bramhand me sabse shaktishali ban jaunga

Agrasena:- toh shuru kare

Digvijay:- jaisa aap uchit samjhe Guruvar

Wahi Dhawalgarh me:

mummyyy kya hua Avni (pet name of Avantika) kyu chilla rahi ho?

Avantika:- mom mera nashta kaha hai? main already late ho gayi hun

Mom:- subah subah kaha jane ki tayari hai

Avantika:- offo mom kal raat hi toh bataya tha aaj mera outing ka plan hai now please no
more questions I’m already late Shanaya ke 10 call aa chuke hain ab tak mom nashta laati
hui koi kaam araam se kiya hai agar jana hi tha toh pehle ready hona tha naa

Avantika:- oh come on mom its not a big deal waise mom dad kaha hai?

Mom:- wo toh subah hi nikal gaye australia

Avantika:- oh shit ab kya karun ideaa Dada ji ko patathi hun mom Dada ji kaha hai?

Mom:- wo bahar garden me baithe hain kyu kya hua?

Avantika:- kuch nahi mom aise hi (man me aapko bataya toh sidhe mana kar dogi par
Dada ji ki baat nahi taalogi) phir Avantika ne chupchap nashta kiya mom ko bye bolkar
bahar aa gayi

Avantika:- hi dadu how are u this morning

Dada ji:- I’m fine beta aapki sawari kaha chali subah subah
Avantika:- wo dadu friends ke saath zara ghumne acha dadu aapne mere birthday par
promise kiya tha ki meri ek wish aap puri kare ge

Dada ji:- arre beta sab toh tera hi hai jo chahiye bata mil jayega

Avantika:- pakka naa baad me mana mat kijiyega

Dada ji:- (thode rubaab me) hum Ahuja hain apni baat se piche nahi hatte

Avantika:- dadu main ****** jise sunke pehle toh dadu shock ho gaye fir udas kya maanga
hoga Avantika ne ye toh khair agle update me pata chalega

Chaliye ek chota sa intro inki family ka bhi ho jaye

Dada ji: Gulshan Ahuja

Dadi ji: Sharmila Ahuja Dad: Navin Ahuja mother: Dipti Ahuja

elder brother: Riyansh Ahuja chacha ji: Nikhlesh Ahuja chachi ji: Amrita Ahuja Nikhlesh
son: Devansh Ahuja

Nikhlesh daughter: Shanaya Ahuja David: body guard of Naveen Ahuja

Avantika:- dadu plzzz naa dekhiye aapne promise kiya tha

Dada ji:- beta tu kabhi humse door nahi gayi hai kaise manage karegi aur jane ki zaroorat
hi kya hai yahi padh le tere school me bhi toh commerce hain naa

Avantika:- hai dadu par state board ka abhi tak maine ICSE hi padha hai aage bhi ussi
affiliation ke saath padhna chahti hun aur wo yaha nahi hai aur main akeli kaha jaa rahi
hun Shanaya bhi mere saath jaa rahi hai aur waise bhi daduhum akele thodi rahengehum
toh mamaji ke yaha rahenge waha Vipul bhaiya aur Vaani bhi hain plz na dadujane dijiye
naa waise bhi ek Ahuja ne promise kiya haiisse toda nahi jaa saktaaisa aap hi kehte hain

Dada ji:- main toh maan bhi jaun par teri dadipapa aur mummy ko kaun manayega aur
tujhe lagta hai Shanaya ko tere chacha chachi jane denge

Avantika:- tabhi toh aapse bol rahi hun dadu aapka faisla toh sabko manana hi padega
naa

Dada ji:- waah beta apne dada ko hi fasa diya

Avantika:- aap hi toh mere life line hain dadu plz maan jaiye naa
Dada ji:- thek haithek hai main baat karta hun sabse Avantika ki khushi ka thekana na tha
thank uuu daduu acha dadu main late ho rahi hunmain chalti hun bye ummahh seeyaaa
aur Avantika uchalte kudate nikal gayi

Dada ji:- apna khayal rakhna aur zyada masti mat karna pagal hai puri fir ghar ke andar
chale gaye Dada ji age 66 par sharir se aaj bhi fit honge bhi kyu naa apne zamane ke kushti
champion hain ye height 6 feet ghaat ghaat ka paani piya hai inhone jawani me har kaand
kiya hai inhone waise toh khandani rahees hai par apni mehnat se apne business empire
ko aur bada bana diyaache aur bure sab kaam kiye hai inhone ghamand kut kut kar bhara
hai inme kafi rangin mijaz ke hain ghar me inki hi hukamat chalti hai sab inse darte hain
bas Avantika hi hai jo inpe raaj karti hai

Wahi dusri taraf heaven me:

Saint Alfrick:- jitna socha thaVikram usse zyada tezi se tayar ho raha hai

Saint Sebastian:- haan ascharya toh hume bhi haipar wo swayam parmeshwar ka ansh hai
uski aantarik shakti aur dridhta usse sab kuch jaldi hi sikha degi

Saint Cecilia:- haa ye toh hai apke kahe anusar maine wo kitab Guru Vishakht tak
pahuncha di thi unhone wo kitab Vikram ko de di haiaur uss kitab ne usse apna maalik bhi
chun liya hai

Saint Sebastian:- wo kitab sadiyon se apne maalik ke intezar me thi najane kitno ne usse
kholne ki koshish ki par nahi khol payejinme hum bhi shamil hai

Saint Cecilia:- haan Asmodeus bhi usse paana chahta thaaur hum bhi usse nahi rok paate
par wo kitab ustak pahunchne se pehle hi gayab ho gayi Vikram ki training se pehle hi wo
khud wapas humare paas aayi

Saint Sebastian:- uss kitab me sirf shastro ka gyan hi nahi haiis pure bramhaand ke sabhi
shaktiyon ka raaz chupa hai agar Asmodeus ke haathon me wo kitab lag jati toh anarth ho
jata par ab fikr ki koi baat nahi hai kitab ab Vikram se jud chuki hai ab usse koi chura nahi
sakta

Saint Alfrick:- ek chinta toh hai Digvijay wo swayam Agrasena se training le raha hai aur
ab toh wo apne antim padhav par pahunchne hi wala hai kahi kuch galat na ho jaye

Saint Sebastian:- kuch nahi hoga aap nischint rahen aage jo hoga usse dekhkar aap dono
bhi hairan reh jayenge
Back to hero:

meri training ka dusra hafta bhi pura ho chuka tha chhal bal chunouti ke baad Akshaant ji
ne mujhe aur taakatwar hone ki siksha di Digvijay ki hi tarah mujhe bhi dharti aur Aakash
ki shakti se khudko jodna sikhaya vighrnati (analyse) mantra ke dwara mujhe kisi bhi vastu
jantu aur manushya ki taakat ka andaza lagana sikhayajiske baad main dharti ya Aakash
ki shakti ka awaha kar apni shakti apne compitetor se badha leta tha par mere paas kuch
aisi bhi shaktiyan aa chuki thi jinse main kisise bhi zyada shaktishali ban sakta thajo ki
mujhe meri kitab ne sikhaya tha par abhi tak un shaktiyon ko azmaane ki zaroorat mujhe
nahi padhi thi mujhe aur gatisheel banane ki zaroorat Akshaant ji ko nahi padi kyu ki meri
speed din ba din badhti hi jaa rahi thi ab toh main pure pahad ka chakkar ek second se bhi
kam me pura kar leta tha pehle hafte ke aakhri din hi Mokalsar laut aaye the dusre hafte
ki pehle din se unhone meri training shuru kar di thi maine kravmaga se lekar humare
world ki sabse prachin yudh shaili kalarippayattu tak sabhi combat fighting sikhi uske baad
Mokalsar ne mujhe iss bramhaand ke saare worlds me practice ki jane wali saare fighting
forms sikhaye jinme se kuch sikh kar mujhe pata chala ki humara world in skills me abhi
bohat peeche hai wahi har raat wo rahasyamayi kitab mujhe aisa aisa gyan de rahi thi ki
ye sab training jo main le raha tha wo uske saamne bohat peeche thi har roz subah main
Guru ji ke saath dhayan me baiththa tha jiski wajah se ab mera dimag mere dil se lagbhagh
har waqt juda rehta tha iska fayeda mujhe har pal har kaam me hota tha main jo bhi faisla
leta uska parinaam mere aakhon ke saamne dikhne lagta wahi shaam ko mere
prashikshan ke baad Guru ji mujhe yudhneeti aur shashtron ki baarikiyan bataate the par
ek ajeeb baat thi Guru ji ne wo kitab mujhe di thi par uske baad kabhi bhi uska zikr nahi
kiya mere prashikshan ka teesra hafta bhi shuru ho gaya iss training me main aur Shaila
bohat ache friend ban gaye the main usse uske naam se hi pukarta tha aaj teesre hafte ka
aakhri din tha abhi hum ek badi si khuli jagah me khade the jahan ek aur ek bada sa talab
tha aur dusri taraf bada sa registaan bana hua tha ye bhi ek mayajaal tha jo Shaila ne
banaya tha

Shaila:- Vikram abhi tak jo bhi tumne mujhse sikha hai sab yaad kar lo aaj tumhara
imtihaan hai

Vikram:- kaisa imtihaan

Shaila:- yudh aaj tum mujhse yudh karoge main tumhare upar shakti pradarshan karungi
tumhe mere har waar ka jawab dena hai ab mujhe kya pareshani honi thi waise bhi ab
mujhe ye sab acha lagne laga tha
Main:- thek hai main tayar hun

Shaila:- trishulam variprawaah (trishul's waterfall) talab se ek bada sa fawara nikla aur
asman me jaakar ruk gaya fir uss faware ne saikdon trishul ke roop le liye aur wo trishul
tezi se meri ore badhne lage

Main:- vayusena prakatam mere ye bolte hi transparent yodha hawa me uth gaye trishul
bhangam aur issi ke saath saath saare yodha udte hue saare trishulon se takraye saare
trishul bikhar kar fir se paani ban kar niche baras gaye

Shaila:- bohat ache Vikram ab ye samhalo vaayu vaatalam (air storm) zameen se hawa ka
ke bawandar utha aur vikral roop lekar meri aur badhne laga abhi main kuch bolta usse
pehle hi Shaila ne fir ek mantra kaha vaaluka mizrayati (sand mixture) registaan se bhi ek
bawandar utha aur meri taraf badhne laga ye do tarfa humla tha

Main:- vaayu paras chakrawat (over storm) ek hawa ka chota sa par shaktishali bawander
mere pairon ke niche bana aur mujhe udate hue saamne wale bawandar ke thek upar
khada kar diya jwar bhangam mere mantra bolte hi main aur mera banaya hua bhawandar
Shaila ke bawandar jo mere pairon ke neeche tha usme samane laga dekhte hi dekhte
main uss bawandar me pura sama gaya aur bawandar khatam hone laga jab bawandar
khatam ho gaya toh main wapas zameen par aa gaya par abhi ret wala bawandar baaki
tha jo mere kareeb aa chuka tha neer prakatam mere saamne paani ki badi si chadar ban
gayi jaise hi wo bawandar paani se takraya somovesh saara ret jo uss bawandar me tha
usse paani apne andar kheechne laga paani chadar ki tarah lapeta gaya aur pure
bawandar ko apne andar samet liya kuch hi der me bawandar nasht ho gaya bawandar ke
gayab hote hi maine paani ko gayab kar diya

Shaila:- adbhoodh Vikram mujhe tumpar garv hai dekhna ek din tum pure bramhaand ke
sabse bade yodha banoge aur mujhe pura yakin hai uska ghamand bhi tum hi todoge
aakhri line bolte hue Shaila bohat hi ghusse me thi aur uske aankhon se aansun nikal gaye

Main:- kya hua Shaila? tumhare aankh me aansu aur kiska ghamand todna hai? Shaila
pure ghusse se nishkaalika

Main:- ye kaun hai?

Shaila:- bataungi par abhi nahi sahi waqt par

Main:- mujhe intezar rahega par plz rona mat

Shaila:- muskurate hue haan pakka hum wapasi ke liye chal pade
Wahi dusri taraf:

Agrasena ne Digvijay ko apni shakti badhane ki training de di thi aaj uska bhi test tha

Agrasena:- tum tayar ho

Digvijay:- ji Guruwar rotakkk Agrasena ke pukarte hi ek gigantic (vishalkaaye) genda


prakat hua iska size normal gende se 10 guna zyada tha ek pal ke liye toh Digvijay ki fati
par fir wo sambhal gaya rotak ke aate hi Agrasena gayab ho gaye rotak ne ek zor ki
guraahat bhari aur daud pada Digvijay ki taraf Digvijay bhi tayar tha jaise hi Rohtak kareeb
aaya Digvijay ne usne uske upar se chalang laga di aur dusri taraf pahunch gaya par jaise
hi palta ahhh Digvijay chitak kar door gir gaya hua ye ki Digvijay ke upar kudte hi rohtak
bhi bijli ki gati se palta aur isse pehle ki Digvijay palte uske peeche pahunch gaya girte hi
Digvijay turant khada ho gaya wo samjh gaya ki gati me rotak ko harana mushkil hoga
matlab ab usse bal se hi ladhna tha par shakti ko badhane ke liye usse Rotak ko chuna
zaroori tha idhar Rotak wapas doudta hua Digvijay ke paas aaya aur jab wo Digvijay se
takrane wala tha Digvijay ne apne haath aage kar uske sar ko pakad liya par Rotak bohat
shakti shali tha usse zyada der tak roka nahi jaa sakta tha bhuriguna (multiply) iss mantra
ka abhyas Digvijay pechle do hafton se kar raha tha iss mantra ka istemaal karne wale ki
shakti saamne wale se zyada ho jati thi par ye aasan nahi tha iss mantra ka pura laabh
tabhi mil sakta tha jab iske istamaal karne wale ke mann main koi sandeh na ho kafi kathin
abhyas aur lagatar prashiskshan ke baad jaakar Digvijay iss mantra ka istemal karna seekh
paya tha mantra bolte hi Digvijay ke haathon me shakti bhar gayi aur usne Rotak ko wahi
rok diya aur ek zor ka prahaar uss ke sar par kiya Rotak neeche gir gaya aur behosh ho
gaya Rotak ke behosh hote hi Agrasena prakat hue

Agrasena:- atti uttam putra hum tumhari lagan aur bahaduri se prassan hue tumne saare
prashikshan safalta purvak pure kiye jiske liye tum puraskar ke hakdaar ho Agrasena
Digvijay ko lekar gayab ho gaye aur pahunche ek taalab ke paas par ye talab thoda alag
tha yaha ka paani kaala tha aur uske upar jagah jagah chamkili parat thi

Agrasena:- jao putra apne vastra utaro aur paani me chale jao Digvijay ne bhi chup chap
apne kapde utare aur paani ke andar chala gaya jaise jaise wo paani ke andar jaa raha tha
usse lag raha tha jaise uski urja bhi badh rahi haikuch der Digvijay paani ke andar raha
phir bahar aa gaya usse apne andar aseem shakti mehsoos ho rahi thi

Agrasena:- putra ab tumhari shakti 10 guna tak badh gayi hai tumhara prashikshan purn
hua an tum lout sakte ho Digvijay ka toh khushi ka thekana na raha
Digvijay:- dhanyawaad Guruwar

Agrasena:- Vijayi bhav aur Agrasena gayab ho gaye

Digvijay:- hahaha ab mujhse zayada powerful koi nahi par ek baar khud ko aazma lena
chahiye ''Gluto'' tayar ho jao tumhara naya raja aa raha hai

Wahi Dhawal garh me

ek hafta guzar chuka tha Dada ji ne sabko bata diya tha ki Avantika aur Shanaya padhne
bahar jaa rahi hai pehle toh koi nahi maanapar Dada ji ke saamne kisi ki ek na chali waise
Dipti (Avni’s mother} ko zyada nahi manana pada kyu ki unka bhai jo waha rehta tha raat
ka waqt tha sab dinner ke liye dining table par baithe the Avantika ke dad bhi Australia se
lout chuke the

A Dad:- are u sure Avni tum Mumbai me padhna chahti ho

Avantika:- ya dadi want to

A Dad:- aur tum Shanaya

Shanaya:- of course bade papa main Avni se door thodi rahungi

Avantika:- oooo babe I luv u

S Dad:- thek hai fir agle hafte tak chale jana thek hai na dad

Dada ji:- hmm thek hai

A Mom:- apne mama ji ko bata dena wo tumhara admission karwa denge waise kaun se
school me padhoge tum dono

Avni/Shanaya:- humne already mama ji ko bata diya hai aur humare naye school ka naam
hai ''St Joseph's''

ye mera aakhri hafta tha yani ki mera exam time in 3 hafton me maine jo bhi sikha tha ab
uska test hone wala tha main kafi excited tha maine soch liya tha ki main kitab me likhe
spell jinka abhi tak maine istemaal nahi kiya tha unka bhi test kar lunga ab mujhe kisi bhi
baat se hairani nahi hoti thi par ab jo mere saamne thausse dekhkar main kafi shocked ho
gaya tha iss waqt main aur mere charo Guru ek aisi jagah me khade thejo kisika bhi dimag
hila sakti hai humare pairon ke niche toh zameen thi par mere daayin taraf paani ka ant
hin diwal thabaayin taraf aag ki diwal thi aur upar toh aasman hi gayab tha exact toh nahi
pata par koi kala bhawar sa tha jo mujhe black hole type ka dikh raha tha sirf main hi nahi
baaki teeno bhi kafi shocked the shayad aisa nazare ki unhone bhi kalpana nahi ki thi

Baba Vishakht:- kya soch rahe ho Vikram main jaise hosh me aaya

Main:- haan ji Guru dev main kuch bhi toh nahi meri ladkhadahat dekhkar Guru ji muskura
diye

Baba Vishakht:- yahi tumhari pariksha hai Vikram tumhe iss agni aur paani ki diwal ko
todna hai aur tumhare upar jo blackhole dikh raha hai usse bhi khatam karke wapas Akash
me badalna hai par ek aur badha hai tumhare raaste me Akshaant Shaila Mokalsar tumhe
aisa karne se rokenge

Shaila:- kintu Guruwar ye toh asambhav hai black hole me toh hazaron grah se bhi zyada
shakti hoti haiaur ye agni aur paani inka toh koi anth hi nahi dikh raha itni urja ka saamna
karna kisike bas me nahi hai

Baba Vishakht:- main janta hun putri par Vikram ko ye asambhav karya sambhav banana
hoga aur ek baat Vikram flosanto dwara diya gaya vardan tumhare kisi kaam nahi aayega
kyu ki ye koi bhram nahi dandpaat grah (punishment world) hai ab main kya kehta jo bhi
ho bhidna toh tha hi

Main:- jo aagya Guru dev main tayar hun mere iss tarah bina kisi sawal kiye maan jane se
baaki ke teeno shocked ho gaye

Baba Vishakht:- toh fir pariksha aarambh ho ek zor ki bijli uss black hole me kadkiaur Guru
ji gayab ho gaye ab main aur wo teeno aamne saamne the Guru ji ne unko pehle hi nirdesh
de diye the ki mujhpe kisi bhi tarah ki rihayat nahi barti jaye Akshaant ne apni talwar aage
ki aur kaha shila varsham (stone rain) saikdon bade bade pathar udke meri ore aane lage

Main:- peshani (grind stone) mere mantra bolte hi saare pathar chur chur ho gaye Shaila
ne baaki dono ko apne paas bulakar kuch kaha mantrashuti mere mantra ke bolte hi
mujhe unki saari baatein sunayi dene lagi

Shaila:- Vikram ko hum akele akele kabhi nahi hara sakte uspe ek saath humla karte hain
dekhte hain wo sambhal paata hai ki nahi

Dono:- thek hai yaha ye sunkar mere chehre par muskurat aa gayi issliye nahi kyu ki maine
unki baatein sun li thi balki issliye ki ab main apne secret kitab ke mantron ko try karne
wala tha
Udhar Mokalsar ne trishulfarsa aur bhaale ka awahan kar meri taraf fek diya Shaila ne ek
bawandar banaya aur aag ki diwal se milakar usme aag bhar di aur Mokalsar ke shastron
ke upar usse chhod diya par abhi toh Akshaant baaki tha jisne apna sabse bade astra ka
istemaal kiya davigunt vibjuti (double power) Mokalsar aur Shaila ke chhode hue astra ki
taakat Akshaant ke iss mantra se doguna zyadi shaktishaali ho gayi ur meri taraf badhne
lagi maine apni aankhen band ki aur apni indriyon ko ek kiya sampurn shaktiyem
samnivesham (insertion of all powers) har tarf ek tez roshni faile gayi kuch bhi dekhna
impossible tha saamne khade teeno me se kisi ko bhi na kuch dikh raha tha na wo kuch
samjh paa rahe the ki ho kya raha hai jab roshni ghati toh unki aankhen sirf khuli nahi
choudi ho gayi kyu ki unka chhoda astra gayab ho chuka tha aur saamne main khada
muskura raha tha teeno ko apni aankhon par bharosa hi nahi ho raha tha hua ye tha ki jo
mantra maine bola tha wo uss kitab ne mujhe sikhayi thi iss mantra ke ucharan karte hi
jitne bhi mantra aur vidhya maine li thi sab mere mind se judne lagi har spell ko todne ke
liye usse juda mantra bolna padhta tha par ab saare ke saare mantra aur unka tod mere
dimag me fit hoga ya tha ab jab bhi kisi bhi tarah ka waar mujhpar hoga toh uss waar ka
kaat apne aap mere mastishk me gunj uthega uss spell ka tod automatic active hojayega
aur mere haathon me aa jayega mujhe bas uska prayog karna tha ab se mujhe kisi bhi
mantra ke kaat ke liya baar baar spell bolne ki zaroorat nahi thi abhi maine wahi kiya tha
mere dimag me unteeno ke waar ka tod gunj utha aur mere hathon me roshni chamakne
lagi kyu ki uss mantra ki urja bohat zyada thi kuch bhi dekhna mushkil ho gaya tha maine
apna haath aage kiya aur mere haathon se roshni nikal kar uss bawandar aur Mokalsar ke
shastron pe padi wo sab wahi khatam ho gaye wo teeno mere paas aaye

Shaila:- ye tumne kaise kiya Vikram maine apni puri zindagi me aisa kuch kabhi nahi dekha
main unhe sach batana nahi chahta tha

Main:- maine toh bas apne sharir ki urja ki madad litum teeno ke waar ko khatam karne
ke liye

Akshaant:- itni urja ki hum teeno ke mantra ek saath nish prabhavit ho gaye ab isme main
kya bata sakta hun Guru dev ne mujhe sikhaya tha aisa karna Guru ji ka naam sunne ke
baad teeno me se koi kuch nahi bola

Mokalsar:- wo sab toh thek haipar iss jagah ka kya kare?

Shaila:- haan yaha se toh nikalne ke liye koi jagah hi nahi hai ek taraf agni haidusri taraf
paani aur upar toh black hole hai ek baar usme phase toh pata nahi bramhaand ke kis
taraf se niklenge
Main:- maine kuch socha hai

Akshaant:- haan mujhe bhi yahi lagta hai ki tum hi kuch kar sakte ho ab toh tum ye grah
bhi khatam kar do toh bhi mujhe ashcharya nahi hoga

Shaila:- haan sahi kaha pata nahi kab kya kar de batao kya socha hai tumne ab waqt tha
dusre spell ko try karne ka

Main:- tum teeno thoda peeche hat jao teeno ke peeche hatthe hi maine apne haath
failaye sampurna anthayasta yamana (complete contents control) iss mantra ke use se
jitne bhi shakti shorth mere aas paas hote unsab ko control kar sakta tha mere ek haath
se ek pili ray nikli aur aag ke diwal se takrayi aur dusre se neeli ray nikalkar paani ke diwal
se takrayi dekhte hi dekhte dono diwalon ka roop badalne laga dono hi chote hone lage
kuch hi pal me dono aag aur paani ke golo me badal gaye dono ka aakar zaroor chota ho
gaya thapar mere rays ki wajah se energy kafi badh gayi thi jiski wajah se puri jagah hilne
lagi maine dono golon ko upar black hole ki taraf fek diya dono gole bohat tezi se upar
gaye aur jaise hi black hole me pahunche maine apni muthi band kar li dono gole ruk gaye
maine apne dono haathon ko jod diya mere aisa karte hi dono gole ek dusre ki taraf badhe
aur takra gaye dhaddaamm ek tez garjana hui har taraf tez roshni faile gayi jab roshni
ghati toh jo saamne aaya usse dekhkar main toh khush ho gaya aur as usual in teeno ke
mouh khul gaye black hole gayab ho chuka tha ab hamare upar neela aasman apni baahen
pasaare khada tha sab kuch normal hote hi Guru ji prakat hue

Baba Vishakht:- atti uttam putr aaj jo tumne kar dikhaya hai wo aaj se pehle kabhi kisine
nahi kiya tha

Main:- ye sab aap sab ki shiksha se hi sambhav ho paya hai Guru ji idhar ye teeno jo stabdh
khade the Guru ji ko dekhkar hosh me aaye

Baba Vishakht:- humara yaha ka kaam samapt hua ab hume chalna chahiye hum gayab
ho gaye aur wapas apne tents ke saamne pahunche

Baba Vishakht:- jao bacho vishram karo main apne tent me chala gaya aur wo teeno apne
tent main

Wahi Dhawalgarh me:

6 din nikal chuke the kal Avantika aur Shanaya ko Mumbai jana tha subah ka waqt hai ye
humari heroin kaha gayi acha yaha hai Avni apne room me bed par leti koi magazine pad
rahi thi itne me uske room ka door khula aur Shanaya andar aayi
Shanaya:- hey sweet heart good morning aaj tu morning walk ke liye kyu nahi uthi maine
kitna knock kiya par aapki neend tute tab naa

Avni:- good morning babes haan yaar aaj neend hi nahi khuli pata hai raat bhar Mumbai
ke hi sapne dekhti rahi hun

Shanaya:- oho some body iss realy excited haan waise toh main bhi bohat exited hunab
hum bhi openly life jee payenge warna yaha toh anytime ya toh ghar pe rahoaur agar
bahar niklo toh bodyguards ke saath

Avni:- tell me about it yaar finally we will be free birds ready to fly hipeee dono hi zor se
chilla baithi awaaz sun Shanaya ki mom andar aayi

S Mom:- kya hua Shanaya tujhe Avni ko bulana bheja tha aur tu bhi yahi baith gayi

Shanaya:- oops mom I completely forgot ye sab iss Avni ki bachi ke wajah se hai hamesha
apni baat me fasa leti hai

Avni:- kya kaha main fasa leti hunruk abhi tujhe batati hun aur shuru hui pillow fight jiska
logic mujhe aaj tak pata nahi chala saala ajeeb jhagda gazab pyaar

S Mom:- bas karo tum dono abhi bhi bachi ki bachi hi ho chalo nashta lag chuka hai sab
tumhara wait kar rahe hain

Shanaya:- jaate hain jaate hai waise chachi aaj bohat hot lag rahi ho kya baat hai

S Mom:- ruk toh badmash mujhe chedti hai par ye dono kaha rukne wali thi bhagti hui
pahunch gayi neeche dining table ki taraf jahan puri family baithi hui thi

Avni/Shanaya:- good morning every one

Sab:- good morning girls

A/Mom:- aao baitho breakfast thanda ho raha hai

(Dipti Ahuja: shaant swabhav ki ek achi mahila apne pariwaar par ye jaan chidakti hain
apne pati ko ek nek dil aur sharif aadmi samjhti hain)

Dadi ji:- beta aap logon ki sab tayari ho gayi shopping wagairah

(Dadi ji:- Sharmila Ahuja dil ki achi hai apne husband ko apna bhagwan maanti hai unki
asliyat nahi janti pura time puja paath me nikalti hai
Shanaya:- dadi shopping yaha kyu kare hum Mumbai jaa rahe hain the shopping paradise
jo bhi kare ge wahi kare ge

Dada ji:- thek hai tum dono kal morning car se nikal jana lamba safar hai raat tak pahunch
jaogi

Avni:- ok dadu

A/Dad:- tumhare mama se baat ho gayi hai yaha tumhare results nikalte hi waha wo
tumhare admissions kara denge

(Navin Ahuja:- apne baap se bhi 10 kadam aage aisa shayad hi koi galat kaam hoga jo ye
nahi karte drugs se lekar human trafficking saare haramipan wale kaam me aage

Avni:- thanks dad ab tak Shanaya ki mom bhi aakar baith gayi thi

S/Mom:- waise wo school kya naam tha uska haan St Joseph kaisa school hai

(Amrita Ahuja:- ye bhi Dipti jaisi hi hai bas chubuli bohat hai Shanaya se jitna pyaar karti
hai utna hi Avantika se bhi karti hain

Avni:- chachi ji its the finest school of Mumbai pata hai dad waha ka 11 th commerce ka
cut out hi 88 percent hai aur science ka 90 percent hai

Dad:- hamare dono bache hi toppers hain admission toh aaram se ho jayega

S/Dad:- bhaiyaagar toppers na bhi hote toh kisme himmat hai ki hamare baccho ka
admission na kare (Nikhlesh Ahuja itna jaan lijiye ki ye apne bhai ka xerox hai

Dada ji:- hmm ye toh hai fir kuch khass na hua aur ye din bhi aise hi nikal gaya Wahi dusri
taraf:

Digvijay pahuncha Gluto

Gluto: apne aap me ek anokha grah isse challenge world bhi kehte hain ye planet sirf
challenges ke liye jana jata hai yaha par har saal ek competition hota hai jisme pure
universe ke hazaro planets se warriorsmagicians aur intelligent log aate hain participate
karne jo bhi iss compitition ke finals ko jeet jata haiusse yaha ke raja ko chunouti dene ka
mouka milta hai agar wo uss raja ko hara de toh iss grah ka naya raja ban jata hai par
pichle 10 saalon se gluto par kisi raja ka nahi balki rani ka raaj hai 10 varsho me usse koi
bhi nahi hara paya hai iss rani ka naam hai Nishkalika
A/Mom:- Avni Shanaya beta apna khayal rakhna pehli baar humse door rahogi pata nahi
kaise manage karogi ye kehte kehte dipti ki ankhon me aansu aa gaye iss waqt puri Ahuja
family bahar lawn me khadi thi Avantika aur Shanaya ko see off karne ke liye

Avni:- oh come on mom hum mamaji ke yaha rahenge toh akele kaha se hue aur waise
bhi waha Vaani aur Gourav bhaiya bhi toh hai naa hamare saath so plz dont darofy just
chillofy abhi Amrita bhi kuch kehne hi wali thi ki

Shanaya:- mom plz aap ab same dialouges repeat mat karna Avni ne jo kaha mera bhi
wahi jawab hai extra kuch add nahi karungi main sabhi Shanaya ki baat par hans diye aur
Amrita ne uske kaan pakad liye

S/Mom:- har waqt bas mazak hi sujhta hai tum dono ko kyu?

Shanaya:- ouch mom sorry sorry par kya karti sabhi yaha aise face bana kar khade hain
jaise hum Mumbai nahi kaargil jaa rahe hain sabhi Shanaya ki baat par fir hans diye

Amrita:- acha tum dono ne Riyansh aur Devansh se baat kar li hai naa (Riyansh Ahuja:
Naveen's son Devansh Ahuja: son of Nikhlesh Ahuja Avantika aur Shanaya ki hi tarah ye
bhi ham umr hain aur filhal Canada me Royal Roads University se MBA kar rahe hain)

Shanaya:- haan mom kal hi baat hui thi

A/Dad:- chalo firjaldi se niklo rasta lamba hai

Avantika:- dad ek extra car kafi thi naaye pura kafila bhejne ki kya zaroorat hai aisa lag
raha hai jaise koi CM ya PM jaa raha hai abhi Naveen kuch kehte usse pehle Dada ji bol
uthe

Dada ji:- hamari potiyan kisi c m ya p m se kam hai kya ye zaroori hai beta security ke
maamle me no arguments ok ab Dada ji ke aage kiski chalti Avni aur Shanaya ne bhi chup
rehna hi thek samjha warna kahi jana hi cancel na kar den

Avni:- ok then by every one dono ne baari baari se sabke pair chukar aashirwaad liye aur
car me baith nikal pade unki car ke aage 10 car thi aur peeche 10 car dekhkar wakayi aisa
lag raha tha jaise koi CM kahi jaa raha hai

Back to hero:

Subah ka waqt hai main aur Guru ji ussi jharne ke paas dhayan karne baithe hain
Baba Vishakht:- ab tak jo bhi tumne sikha haiusse tum har astra shatra ka samna kar
paogekoi bhi tumhe kisi bhi yudh me parast nahi kar payegakintu khatra sirf uss shatru se
nahi hota jo saamne se waar kare sabse zyada khatra aastin me chupe saamp se hota hai
un logon se hota hai jo hame apne jaal me fasakar shadiyantra dwara haani pahunchate
hain iss bramhand ka sabse bada mayajal wo samaaj hai jahan hum rehte hai mithya
dhokebaazi wo astra hai jo sidhe hamare hriday par waar karte hain aur ek aisa kasht
pahunchate hai jo kisi praan ghaati mantra se bhi zyada peeda deyi hota hai putra aaj
main tumhe ek nayi shiksha dene wala hun jiske upyog se koi bhi tumhe dhoka nahi dega

Main:- nayi shiksha wo kya Guru dev

Baba Vishakht:- anubhavati is mantra ke sahi upyog se tum kisi ke bhi mann ko padh
sakoge aur dusra darshanam karoti is mantra ko agar tum upyog me laa paye toh tum kisi
ke bhi aankhon ne jo bhi dekha hoga ya uss pal dekh raha hoga wo sab tum bhi dekh
sakoge

Main:- wow ye toh bohat kaam ke mantra hain

Baba Vishakht:- toh chalo pehle mantra ka abyas aarambh karo anubhavati mantra ka
ucharan karte waqt tumhe apne andar jo bhi roshni dikhegi tumhe uss roshni ko apne
hriday se jodna hoga aur darshanam karoti mantra ke uccharan ke waqt tumhe jo roshni
dikhegi usse apne mastishk se jodna hoga toh aarambh kare

Main:- jo aagya Guru dev aur main lag gaya dono mantra ka awaha karne me ek chiz thi
jo mujhe kitab ne sikhayi thi wo ye ki ab main jitne chaahun utne spells ek saath use kar
sakta tha mujhe alag alag practice karne ki zaroorat nahi thi aur sabse achi baat ye thi ki
ab mujhe kisi bhi mantra ko baar baar bolne ki zaroorat nahi thi situation ke hissab se
mera dimag apne aap istemal me aane wala mantra bol deta tha aur main asani se usse
prayog me la sakta tha sirf kuch hi der me anubhavati mantra ke awaha se ek roshni mere
heart se jud gayi aur darshanam karoti mantra se ek roshni mere dimag se jud hayi ek
roshni mere sir se nikalne lagi aur ek roshni mere seene se mere saamne baithe Guru ji ye
dekhkar muskurane lage

Baba Vishakht:- (mann main) adbhudh putra adbhudh main dhayan me baitha tha ki
mujhe Guru ji ki awaaz sunayi di meri aankhen khul gayi saamne baithe Guru ji muskura
rahe the

Baba Vishakht:- ye meri hi awaaz thi putra jo maine mann main kahi thi aur tumne sun li
Wahi dusri taraf:
Digvijay ek lambi line me khada tha usse yun line me khada hona acha toh nahi lag raha
tha par abhi wo bas mahoul ko samjhna chahta tha uske dad ne usse bataya tha iske bare
me gluto grah ke entry me hi ek check point hai jitne bhi graho se log yaha participate
karne aate hain unhe wahi line me khade hokar pehle waha se sikke lene padte hain ye
sikke unhe apne grah se laaye sone aur heere ke badle milte hai un sikko se hi yaha raha
jaa sakta hai Digvijay ne apne aas paas dekha uske jaise hi saikdon log alag alag line me
khade the kuch hi der baad Digvijay ka bhi number aa gaya

XXX:- sone laye ho ya heere

Digvijay:- dono ye kehkar Digvijay ne apne haath me pakda jhola saamne mez par rakh
kar khol diya XXX itne heere aur sone ko dekhkar shockeed reh gaya itne saare tum koun
se grah se ho?

Digvijay:- earth XXX firse shocked hote hue kya kaha earth ye pehli baar hai jab koi earth
se aaya hai pratis pradha me bhaag lene ke liye ye lo ye kehkar XXX ne 10000 sikke nikal
kar rakh diye

Digvijay:- itne kam

XXX:- tumhe ye kam lag rahe hain tum itne sikko se pure do mahine yaha reh sakte ho
agar tik pao toh

Digvijay:- kya matlab agar tik paun to?

XXX:- bache yaha ek hafta tikna bhi mushkil hai yaha ek se ek khatarnak yodha aate hai fir
bhi ek hafte nahi tik paate tum toh bache ho aur upar se itne sikke le kar jaa rahe ho
tumhe toh bahar hi koi in sikko ke liye maar dega

Digvijay:- hahaha mar gaye Digvijay ko maarne wale Digvijay un sikko ko lekar aage chala
gaya aage ka nazara bhi ajeeb hi tha koi kahi bhi baithkar jua khel raha tha nashe me dube
log yaha waha ghum rahe the kuch uniforms me the matlab waha ke sainik the woh sab
bhi ye sab dekh kar bhi kuch nahi bol rahe the waha jitne bhi buildings se sab patthar ke
bane the ab Digvijay ko bhi kahi toh rukna hi tha toh usne kisi hotel ka pata lagane ki sochi
saamne hi ek group khada tha Digvijay un logon ki taraf chal pada

Digvijay:- bhai log yaha kahi koi hotel hoga rukne ke liye saamne khade sabhi logon ne
Digvijay ko gaur se dekha

Aadmi 1:- tum kaun ho bache yaha kya kar rahe ho?
Digvijay:- jitna puch raha hun utna bata faltu ki panchayat mere saamne mat kar Digvijay
se aise jawab ki ummid waha kisi ko na thi

Aadmi 2:- kya bola tu humse zubaan ladata hai saale teri toh oohh aaah dhopp kadak aisi
9 baar aawazen aayi waha kul 10 log khade the ek ko chhod ke baaki sabhi zamin par the
aur behosh ho chuke the ye sab dekhkar aas paas kafi bheed jama ho gayi thi 9 th banda
toh thar thar kaamp raha tha

Digvijay:- haan toh main kya puch raha tha haan yaha koi hotel hai aas paas rehne ke liye
wo aadmi toh bas thaga sa khada kaamp raha tha

Digvijay:- abbe tu adress bata sake issliye tujhe chhoda maine ab batata hai ya tujhe bhi
maar khani hai

Aadmi 1:- wo saamne jo imarat dikh rahi hai waha se daayi aur mud jao waha bohat si
saray hain rahne ke liye

Digvijay:- thanks bro ruk jao abhi Digvijay thoda aage hi gaya tha ki iss awaaz se ruk gaya
palat kar dekha toh wahi sainik the jinhe usne thodi der pehle dekha tha

Sainik:- kaun ho tum aur in logon ko kyu maara

Digvijay:- naam Digvijay inki shakal pasand nahi aayi toh pel diya

Sainik:- tum jante ho tum kisse baat kar rahe ho hum yaha ke mukhya sipahi hain hum
tumhe karawaas me daal sakte hain

Digvijay:- kya bola mukhya sipahi chiiisaale insult kar di meri senapatimantri bhi bolta toh
kuch thek lagta upar se bade bade dialouge kya word bola haan karawaa saale main tujhe
chindi chor dikhta hun kya jo aaya dhamki diya aur jail me daal diya isse pehle ki mera
dimag ghume fut le yaha se saale nahi toh nimbu jaisa nichod dunga

Sainik:- tera itna dusshas giraftaar karo isse ab Digvijay ke paas itna time nahi tha ki yaha
time paas kare

Digvijay:- duasa trayagna sainiko ke haath me jitne bhi sashtra the wo unhi ke saamne
aage khade ho gaye

Digvijay:- abhisaar abhi toh sainik iss shock se nahi ubre the ki unke shashtron ko kya hua
hai uske upar unke sashtra unhi par humla karne lag gaye thodi hi der me sabhi sainik
zamin par the koi mara toh nahi par gambhir dhang se ghayal zaroor ho gaye the waha
khade sabhi log stabh reh gaye the Digvijay waha nahi ruka aur aage nikal gaya
Back to hero:

ek mahina khatam ho chuka tha meri training khatam ho gayi thi ek taraf main kafi khush
tha kyu ki main ab apne mom dad ke paas wapas jaa raha thawahi mere andar ek khalipan
bhi bhar gaya tha mujhe iss jagah iss training se ek lagav sa ho gaya tha par kehte hai naa
samay acha ho ya bura khatam toh ho hi jata hai abhi main apni packing kar hi raha tha ki
Guru ji andar aaye

Baba Vishakht:- tayar ho gaye putr

Main:- ji Guru dev

Baba Vishakht:- tumhari kitab kaha hai

Main:- ye rahi maine kitab bag me rakhi thi wo nikal kar dikhayi

Baba Vishakht:- isse apne seene ke upar rakho maine rakh liya par tabhi uss book me se
ek tez roshni nikli aur jab ghati toh book gayab thi

Main:- arre ye kaha gayi

Baba Vishakht:- tumhare andar

Main:- mere andar matlab

Baba Vishakht:- wo sirf ek pustak nahi hai Vikram tumhara hi ek ansh hai jo ab tumhare
andar hi rahega jab bhi tumhe usse padhna ho usse yaad kar lena wo tumhare saamne aa
jayegi

Main:- kintu Guru dev ek kitab mera ansh kaise hui?

Baba Vishakht:- sahi waqt aane par iska jawab bhi tumhe kitab hi degi maine bhi zyada
nahi socha

Baba Vishakht:- chale hame vilamb nahi karna chahiye main aur Baba bahar aaye toh
maine dekha teeno bahar hi khade the main teeno se baari baari mila jab Shaila se gale
mil raha tha wo dheere se boli

Shaila:- meri Gurudakshina baaki hai

Main:- jo aap mango

Shaila:- abhi nahi jab bhi sahi waqt aayega toh main aaungi tumhare paas apni guru
dakhshina lene
Main:- thek hai jab bhi dil kare maang lena Baba Vishakht ne world door khol diya jisme
se hokar wo teeno chale gaye hum bhi gayab hokar sidhe mere ghar ke paas pahunche
abhi raat ke karb 8 baj rahe the hum jahan pahunche the waha thoda zyada andhera tha
hamara yun achanak prakat hona koi bhi nahi dekh sakta tha itne dino baad apne ghar ko
dekhkar main bohat khush ho gaya

Baba Vishakht:- jao putra

Main:- aap nahi chalenge Guru dev

Baba Vishakht:- aaj nahi putra abhi tum jao main fir kabhi aaunga Guru dev gayab ho gaye
main kafi der tak uss jagah ko jahan Baba khade theek tak dekhta raha thoda bura lag
raha tha Guru ji se alag hokar par kar bhi kya sakta tha main bhi chal pada apne ghar ki
taraf bahar watch man khada tha mujhe dekhte hi usne salute kiya aur mera bag lene
aage aaya

Main:- arre kaka ek hi toh bag hai main lejaunga main andar ki taraf chal pada main jab
andar pahuncha mujhe hall me hi mom dad baithe dikh gaye jo kisi baat par discussion
kar rahe the

Main:- mom dad dono ko dekhkar main apni excitement control nahi kar paya aur zor se
chillaya mujhe dekhte hi mom uthi aur doudte hue mere gale lag gayi unki aankhon me
aansu the piche piche dad bhi aa rahe the itne dino ke baad mom ko gale lagate hi mere
bhi aansu nikal gaye

Dad:- oye khoteya bas apni mom se hi milega ya apne baap ke kaleje ko bhi thodi thandak
dega main mom se alag ho dad ke gale lag gaya aansu toh dad ke aankhon me bhi the par
aakhir papa theemotions ko daba gaye

Dad:- arre yaar tu toh aur handsome ho gaya teri body bhi thodi choudi lag rahi hai kya
khila rahe the Guru ji tujhe lo ji ab tum wo maa wala dialouge kaise marogi

Maa:- kaun sa dialouge?

Dad:- arre wahi ki kitna dubla ho gaya hai waha kuch khane ko nahi dete the kya main aur
dad dono hi iss baat par hans pade aur mom ne mouh bana liya

Maa:- aapko jab dekho mazak hi sujhta rahta hai abhi tak toh maine apne bache ko thek
se dekha bhi nahi
Dad:- bhagyawaan agar tumhara beta puri zindagi bhi tumhare saamne baithe tab bhi
tum yahi kahogi

Maa:- ho gaya aapka jaa beta fresh ho jaa fir dinner karte hain

Main:- haan mom apke haathon ke khaane ke liye toh main taras gaya hun main bhagte
hue room gaya fresh hua aur neeche aa gaya jab main neeche aaya toh dono kuch baat
kar rahe the mujhe aata dekh chup ho gaye ab main pehle wala Vikram toh tha nahi mom
dad jitni bhi dheere baat kar len main toh sun hi lunga waise ek baat aur thi main jab se
aaya tha dad ki aankhon me kuch tension thi jise wo mujhse chupane ki koshish kar rahe
the pehle maine dhayan nahi diya tha par ab unki halki si baat sunane ke baad mujhe ye
yaad aa gaya tha

Dad:- aur beta kya kya sikhaya Guru dev ne dinner khatam karne ke baad main mom aur
dad wahi sofe par baithe the toh dad ne pucha

Main:- physical training dad aur thoda IQ trigger karwaya

Dad:- physical training matlab

Main:- combat fighting dad

Dad:- well well matlab ab hamara beta ek fighter ban gaya hai haan

Main:- yes dad

Mom:- par kisise ladhne mat baith jana

Main:- come on mom you know me aisi hi kuch der baatein hoti rahin ab mujhe confirm
ho gaya tha ki dad sach me kuch problem me hain maine dad ki aankhon me jhaanka aur
meri ankhon me pichle ek mahine me dad ke saath kya kya hua hai sab dikhne laga

Main:- mom dadI’m too tired main so jaun

Mom:- haan beta ji aap so jao

Main:- ok then good night mom good night dad

Dono:- good night beta main chal pada stairs se upar ki taraf par ab meri aankhen laal
hone lagi thi jabde bhiche hue themuthi yan kasi hui thi

Main:- Balbeer Singh Baaga (Digvijay's dad) tu toh gaya beta


Avantika:- Vaani Priyu mousi gourav bhaiya where's everybody raat ke kareeb 8 baj rahe
the jab Avantika aur Shanaya Mumbai apne mama ke ghar pahunche awaaz sunkar mamiji
jo kitchen me thi bahar aayi

Mami:- oh my God meri bachiyan aa gayi mouhe laga 11 baj jayega tum logon ko
pahunchne me

Shanaya:- hum log ek kaam karte hainwapas jaakar 3 ghante baad phir se aate hain

Mami:- chup badmash kuch bhi bolti hai ek Minute ruko main abhi aayi maami kahi gayi
aur jab wapas aayi toh unke haath me aarti ki thaali thi

Avantika:- oh come on mausi ye zaroori hai kya?

Maami:- chup kar ke khadi reh mousi ne baari baari dono ki aarti ki

Shanaya:- ho gaya acha maami ye VaaniPriyugourav bhaiya kaha hai aur mama ji bhi nahi
dikh rahe

Vaani idhar hai babes abhi maami ji kuch kehti usse pehle hi peeche se ek awaaz aayi
awaaz sunkar Avantika aur Shanaya ne piche mudke dekha Vaani aur Priyanka khade
muskura rahe the (Vaani Arora super hot ladki isne bhi abhi 10 th complete kiya hai jitni
hot hai ghamand bhi utna hi hai apni galti kabhi nahi maanti) (Priyanka Arora Vaani’s little
sister ghar wale aur frndz pyar se Priyu bulate hain abhi 8th me hai wo bhi apne hero ki
school me sweet ladki hai par bohat hi chanchal hai) aaaa aur phir shuru hua ladkiyon ka
common talent gala phaad kar chillana pata nahi ek dusre se milne pe aisa kya ho jata hai
ki aisi awazen nikalti hai inke gale se shakal toh wahi rehti hai phir bhi itna shocking
expression pata nahi kya logic hai khair kahani logic ki nahi magic ki hai ussi par focus
karte hain maami toh inke chillate hi kaan me haath rakh kar wapas kitchen chale gayi thi
kuch der laga par teeno ki excitement akhirkar kuch kam hui

Vaani:- I’m so excited babes ab hum sab saath rahenge mujhe toh ab bhi yakin nahi ho
raha ki ye sach hai

Shanaya:- excited ki bachi jab pata tha ki hum aa rahe hainfir bhi dono gayab thi

Priyanka:- arre dimom ne kaha ki aap logon ko aate aate 11 baj jayenge toh hum bhi
ghumne chale gaye khair wo sab chhodowaise di aap dono toh kafi hot ho gaye ho lagta
hai Mumbai ke ladko ke heart fail hone wale hain
Avantika:- Priyanka ke kaan pakadte hue Priyu ki bachi thi gni se hai par baatein badi badi
haan kaun sikhata hai tujhe ye sab

Priyanka:- aah di kaan chhodo toh bataun naa haantoh di aisa hai ki talented logon ko
kuch sikhana nahi padta aur hum toh paidaishi talented hain Priyu ki baat par sab hans
diye

Avantika:- toh Miss talented exams kaise gaye tumhare?

Priyanka:- superb di

Shanaya:- very good waise Vaani tu kps me hain naa

Vaani:- hai nahi thi ab toh hum bhi tum logon ke saath hi dera daalenge

Avantika:- haan bohat maza aane wala hai iss saal

Priyanka:- ab tak aap log mujhse bade thepar ab main aap logon se badi ho gayi

Vaani:- wo kaise?

Priyanka:- arre di simple si baat hai aap sab mere school me aa rahe hotoh iss hissab se
main aapki senior hui naa

Avantika:- ok madam bas please senior ki tarah hamari ragging mat lena

Priyanka:- sochenge sabhi iss baat pe fir hans diye

Shanaya:- wakayi yaar ab toh maza aa jayega St Joseph me hum charo ka raaj hoga

Vaani:- for nahi 6 ek mere do friend bhi mere saath aayenge St Joseph me padhne aur
babes hum jahan jaate hain waha raaj karte hain

Priyanka:- oho madam log break lagao aur ye galat fehmi nikal do ki aapme se kisi ko bhi
waha priority milegi

Shanaya:- kyu nahi milegi humse best koi hai kya kahi main aur Avni studies me topper
hain uske upar main singing me aur Avni dance me no ek hai priority toh hume hi milegi

Vaani:- aur nahi toh kya aur tum bhool rahi ho ki hum textile king Satish Arora ke bache
hain pure Mumbai ki 5th richest family hain hum hum jahan bhi jaate hain sab kuch
hamare hissab se hota hai
Priyanka:- Avni di Shanaya di aap log padhai me gaane me dance me best tab tak hain jab
tak aap hamare school me nahi aa jate ek baar aa gaye toh fir second aur third position
se hi kaam chalana hoga

Shanaya:- second matlab toh first kaun aayega

Priyanka:- Vikram Jairaj Singh the best student of aur school unke jaisa koi nahi studies
me bestsports me championkya awaaz hai unki gaane me bhi no ek aur danceaisa lagta
hai body me haddiyan hi nahi hai he iss that flexible pichli 3 saal se inter school level dance
aur singing champion hain itna hi nahi he iss a damn good poet yaar itni si umar me kya
poetries karte hain aur

Vaani:- bas bas meri maa aur kitna pakayegi oos what was the name haan Vikram ke naam
se waise maine bhi kafi suna hai uske bare me hamare teachers bhi uska examples dete
rehte hai chalo hum bhi dekhte hai kaun hai ye Vikram

Shanaya:- hmm dekhte hain aisa kaun hai jo hame hara sakta hai

Avantika:- Vikram Jairaj Singh hmm nice name

Back to hero:

Main:- hmm toh ye hai Balbeer Singh Bagga saale ki personality toh jaanwar jaisi hai iss
waqt main apne bed par leta laptop me Balbeer Singh ki details check kar raha tha ab
mujhme takat toh bohat thi Guru ji ne mujhe iss bramhaand ke kayi raaz bhi bataye the
par mere training ke aakhri din unhone mujhse kuch kaha tha jo mujhe abhi yaad aa raha
tha last words of Baba Vishakht to Vikram during the last day of training:

Guru ji:- putra ek baat hamesha yaad rakhna hum jitne bhi shaktishali kyu na ho jaye kisi
ko bhi kam aankne ki galti kabhi mat karna dharti par aise bohat se log aur jeev hain jo
mayavi hain kabhi bhi apne dushman ki puri jankari liye bagair usse ladhna mat bhavishya
me tumhe iss bramhaand ke liye bohat badi badi ladaiyan ladni hain par bramhand se
pehle tumhari prathmikta tumhare pariwaar ke liye aur samaj ke liye ladhna hai par jo bhi
karna krodh aur awesh me aakar nahi thande dimag se karna

tab mujhe Guru ji ki baat utni samjh nahi aayi thi par ab samjhne laga tha maine dad ke
aankhon se dekha tha ki aaj se kuch 28 din pehle Balbeer mere dad se mila tha

Flashback:

Balbeer:- good morning Jairaj ji


Dad:- good morning bataiye aaj hamare office me apka kaise aana hua

Balbeer:- aap bataiye Jairaj ji kya socha fir aapne meri party join karne ke offer ke bare
me

Dad:- iska jawab toh maine apko de diya tha mujhe koi interest nahi hai apki party me

Balbeer:- ek baar fir soch lijiye Jairaj ji mujhse haath milakar aapka faayda hi hoga aur na
milakar nuksaan

Jairaj:- har baat ko faayede aur nuksaan ki kasauti pe nahi tulna chahiye Balbeerji khair ye
aapko samjh nahi aayega aur waise bhi main soch kar faisla karta hunfaisla karke nahi
sochta

Balbeer:- uthte hue ye bhi sahi hai par ek salah hai meri jis unchai par aap khade hain
waha se niche girna bohat taklif de sakta hai aapko khair chalta hun aur issi din ke baad
se dad ko nuksaan hona shuru hua India me hamari kul 30 factories hain aur abroad me 6
yaha ki 5 factories me achanak aag lag gayi aur abroad ki do factories me hamara arbo ka
nuksaan ho chuka tha itna hi nahi stock market me bhi hamare company ke shares kafi
gir gaye theaur for dealership bhi cancel ho gayi thi dad aur mom ka do baar accident hote
hote bhi bacha tha pratakshyatam (visual inspection) ye spell mujhe kitab ne sikhayi thi
isse main jo bhi gadbad lage uska pata laga sakta tha mere spell bolte hi mere andar se
rays nikli aur har uss jagah par pahunchi jahan problems hui thi jise dekhkar mujhe shock
laga hamari jitni bhi factories me aag lagi thi wo aag apne aap hi jal uthi thi unka koi source
nahi tha aur jin trucks se mom dad ka accident hone wala tha uske driver ko bhi hypnotize
kiya gaya tha ye sab dekhkar main samjh gaya ki ye kisi sadharan insaan ka kaam toh ho
nahi sakta Balbeer kya chiz hai ye janane ke liye hi main uska wikipedia check kar raha tha
baaki sab toh normal tha par uska past pura gayab tha na uske mom dad ka pata thawo
kaha paida hua kuch bhi thek se nahi likha tha achanak raaton raat wo successful ho gaya
tha

Main:- saala pakka kuch jhol hai ye Balbeer koi normal banda toh ho nahi sakta par saala
jitna bhi bada top ho iski aisi ki taisi kar ke hi rahunga ye Guru ji bhi naa mujhe sirf defence
ke spells hi sikhaye hain un spells se attack tabhi kar sakta hun jab saamne se humla ho
kya karun haan khud humla nahi kar sakta toh kya karwa toh sakta hun ab dekh beta
Balbeer jaise tune koi evidence nahi chhoda main bhi nahi chhodunga maine phir se
aakhen band ki aur dhayan lagaya mujhe Balbeer ka chehra dikhne laga aur uske khaas
aadmiyon ka bhi un me se ek aadmi ko maine chuna aur uski puri janm kundali mere
dimag me baith gayi meri aankh khul gayi ab jo bhi karna tha kal hi karna tha main kuch
der tak sochta raha fir so gaya itne dino tak lagatar for baje uthne ki wajah se aaj bhi meri
aankh for baje hi khul gayi main fresh hokar dhayan me baith gaya main kareeb 3 ghanto
tak dhayan me baitha raha dhayan ka sabse bada faayda jo mujhe hua tha wo ye tha ki ab
mujhe kisi bhi spell ko bolne ki zaroorat nahi padhti thi mere sochne bhar se har mantra
kaam karne lagta tha dhayan se uthkar baaki kaam niptakar neeche aaya mom dad dono
hi dining table par baithe hue the

Main:- good morning mom dad

Dono:- good morning beta

Dad:- subah subah kaha jane ki tayari hai?

Main:- ek friend ke ghar dad

Dad:- alright aao nashta kar lo fir kuch khass nahi hua main nashta karke nikal gaya bahar
main car se jana nahi chahta thamain nahi chahta tha ki kisiko kuch pata chale ki main
kaha gaya tha issliye paidal hi nikal pada kuch hi door se auto pakad kar main chal pada
apni manzil ki taraf

Wahi Gluto me:

Digvijay:- pratiyogita me bhaag lene ke liye kitne sikke lagenge

AAA:- ek bhi nahi jitna bhugtan karna tha tum sona badalte waqt kar chuke ho ye lo parchi
tum jis shreni me bhaag lena chahte ho uske niche bindu lagado

Digvijay:- shreni matlab?

AAA:- arre agar tum yodha ho toh yodha ke niche lagaojadugar ho toh uske niche dono
ho toh dono ke niche Digvijay ne dono ke niche tick laga diya aur chal pada andar ki taraf
iss waqt Digvijay uss jagah pahunch chuka tha jahan fight ke liye challenge diya jata hai
kal ke pange ke baad Digvijay sidha ek chote se hotel type ki jagah gaya waha ek room le
liya aur wahi pe kaam karne wale bande se yaha ka pata lagaya aur pahunch gaya aaj
sabko challenge karne ye ek bohat bada ground tha jo charo taraf logon se ghira hua tha
Digvijay ne nazar ghumain toh ek jagah usse waha ladhne waalo ki lambi line lagi hui dikhi
Digvijay bhi uss line me jaakar khada ho gaya iss waqt ground me do yodha lad rahe the
yaha ladne ke koi khaas niyam nahi the kisiko harane ki liye ya toh uske mouh se haar
kubool karwa lo ya usse maar do Digvijay ko ye sab boring lag raha tha par kar bhi kya
sakta thaapni baari ka wait karne ke siwa bohat der baad kahi jaake Digvijay ka number
aaya Digvijay jaakar ground ke beech khada ho gaya uske saamne ek lamba chouda aadmi
khada tha jo yodha lag raha tha jitne bhi log baithe the wo ussi ke naam se chilla rahe the

Digvijay:- chal aa bhi bhai kitna time lagayega

Yodha:- pehle tum bhi toh koi hathyar chun lo

Digvijay:- abbe time paas mat kar aur ladh saamne wala Yodha Digvijay ki taraf doud pada
Digvijay niche jhuka aur dharti ko chu kar kuch mantra kaha uss Yodha ke pairon ke niche
ki zameen halki fat gayi aur uske pair niche dhas gaye zameen wapas pehli si ho gayi ab
wo hil bhi nahi paa raha tha sab ye dekhkar ek dum chup ho gaye Digvijay aaram se chalte
hue uske paas gaya aur apne haath aage kar diye uss aadmi ke haath se talwar chhutkar
Digvijay ke haath me aa gayi wo aadmi ye dekhkar thar thar kaampne laga wahi Digvijay
muskurate hue uski taraf badh raha tha

Aadmi:- main apni haar swikar karta hun

Digvijay:- shabaash ye hui na baat acha hua hoshiyari nahi dikhayi warna khali fokat mar
jata chal ab nikal Digvijay ke aisa bolte hi zameen dheeli pad gayi aur uss aadmi ke pair
bahar aa gaye wo ek sec bhi nahi ruka sidha bhaag gaya uske jane ke baad aaya ek
magician

Digvijay:- chal aaja bhai tu bhi hunar aazmale

Magician:- main bhi ek jadugar hun tum mujhe apni maya me fasa nahi sakoge

Digvijay:- chal dekhte hain tu shuru kar baad me mouka nahi milega

Magician:- jal prakatam magician ke haathon me paani ka ek bada sa ball aa gaya

Digvijay:- haan bhai ye sahi kiya bohat der se chehra nahi dhoya hun yaar nul system bhi
hai kya ye thoda zyada hai magician ko Digvijay ki baat par bohat ghussa aaya usne wo
water ball uski taraf fenk di Digvijay ne apne hath aage kiye wo ball wahi ruk gayi

Digvijay:- vajraghaat ek zor ki bijli kadki aur sidhe uss water ball pe padi Digvijay ne apne
haath fir aage kiye wo ball wapas dugni speed se gayi aur magicain se takrayi wo tadapta
hua door ja gira aur mar gaya

Digvijay:- bechara bhari jawani me hi maara gaya aur koi ab sabhi Digvijay se dar gaye the
koi aage aane ko tayar nahi tha par aaye toh ladne hi theek magician darte darte Digvijay
ke saamne aakar khada ho gaya
Digvijay:- akkal badi ki bhains bol bhains kyu abbe bewakuf ye challenge zindagi se
badhkar hai kya khair teri marzi par yaar mere paas bhi faltu time nahi hai ek kaam karo
line me jitne khade hain sabhi ek saath aa jao ye sunkar sabhi shocked ho gaye hote bhi
kyu naa aisa pehli baar hua tha kuch hi der me kareeb 100 log Digvijay ke saamne the

Digvijay:- ab aayega maza sabhi ne ek saath apne apne astra shastra se Digvijay ke upar
waar kar diya dher saari talwaare bhaale barche teer aur unke saath saath paani ke spears
balls fire balls Digvijay ke taraf badhne lage

Digvijay:- surakhsha kawach prakatam saare ke saare astra shashtra kawach se takraye
aur bekaar ho gaye jitne bhi log ground ko ghere khade the stabdh reh gaye yaha tak ki
jitne warriors aur magicians Digvijay ke saamne khade the apne ghutno par jhuk gaye

Digvijay:- samjhdar ho sab tabhi ek zor ki bijli kadki aur wahi ground ke upar hawa me ek
chehra ubhra adha chehra dhaka hua ye koi aur nahi Nishka lika thi

Back to hero:

Main:- Amit Mehta right

Amit:- do I know u?

Main:- you dont need to iss waqt main ek building ke parking me khada tha jo ki Balbeer
Singh Bagga ke office ki hi parking thi aur mere saamne tha Amit Mehta main yaha issi se
milne aaya tha ye Balbeer Singh ka khaas aadmi tha uske ache bure sabhi dhandho ka
kaala chittha iske paas tha par mera maksad kuch aur tha main chalte hue uske paas gaya

Amit:- oh bache ek baar pucha samjh nahi aaya kya kaun hai tu? par tab tak main uske
paas pahunch chuka tha maine tezi se uske sir par haath rakh diya wo khade khade hi
behosh ho gaya aur mujhe Balbeer ke saare khaas admiyon ke chehre dikhne lage mera
kaam ho gaya tha mere haathon se roshni nikli aur uske andar chali gayi main bahar ki aur
chal diya mere jane ke baad usse hosh aaya par ab usse kuch bhi yaad nahi tha ki abhi kya
hua thawo bhi chala gaya abhi 11 baj rahe the main sidhe ek garden me pahuncha ye
garden ussi area me tha aur aksar iss waqt khali hi rehta tha main ek ped ke peeche
dhayan me baith gaya mere haathon se rays nikli aur jitne bhi Balbeer ke khaas aadmi the
jinka chehra maine Amit se dekha tha unme sama gaye mera kaam khatam ho chuka tha
main muskurate hue ghar ke liye nikal gaya

Main:- mom I’m home

Mom:- aa gaya mera bacha bhook lagi hai kya


Main:- no mom main room ja raha hun lunch time bula lena

Mom:- ok beta pura ek mahina beet gaya tha mujhe Ronit aur Anjali se baat kiye hue room
pahunchkar maine baari baari dono ko call kiya par dono ne hi nahi uthaya maine zyada
dhayan nahi diya aur laptop pe ek movie lagakar dekhne laga lunch time par niche gaya
lunch ki aur fir room me aakar so gaya shaam ko 6 baje meri neend khuli

Main:- yaar aaj kafi der tak sota raha chalo fresh hokar Ronit ke ghar chalte hain main jab
neeche aaya toh mom aur dad tv ke saamne baithe hue the aur news dekh rahe the

Main:- good evening dad aaj jaldi aa gaye aap

Dad:- haan beta aaj kaam kam tha meri bhi nazar tv par padi jahan news reporter new
suna rahi thi

News Reporter:- jaisa ki aap sab dekh rahe hain ki Balbeer Singh Bagga ke oil plant me aag
lag gayi hai sirf issi me hi nahi Balbeerji ke aisa aur for plants me aag lag gayi hai itna hi
nahi rajesthan me bane unke 5 star hotel me bhi aag lag gayi hai itna sab koi haadsa toh
ho nahi sakta ye dekhna dilchasp hoga ki itni badi wardaat ko kisne anjaam diya hai kaun
hai jo Balbeer Singh ko barbaad karna chahta hai janene ke liye saath bane rahiye camera
man Ashutosh ke saath main Shreya ********* se dhanyawad ye sab dekhkar mere
chehre par ek muskurahat aa gayi

Main:- mom dad main zara aata hun bahar se

Dad:- ok beta enjoy

Shanaya:- toh aaj ka kya plan hai? subah sab breakfast karne baithe hi the ki Shanaya
madam ne pucha

Vaani:- aaj full day outing karte hain shopping chalte hain fir wahi mall me hi lunch kar
lenge uske baad movie dekhenge then shaam ko beach chalenge than back to home

Priyanka:- nice plan di aaj toh maza aa jayega mom aap bhi chalo naa

Avantika:- haan maami aap bhi chalo naa hamare saath

Maami:- nahi baccho tum sab jao mujhe meri ek friend ke ghar jana hai maine usse
promise kiya tha warna main tum logon ke saath zaroor jati

Vaani:- ok mom aap apni friend ke saath enjoy karohum sab jaate hai toh girls ready ho
jao ye Mumbai hai laate se nikle toh traffic me hi shaam ho jayegi fir sab ready hokar nikal
gaye Mumbai darshan karne inhe chhodte hai hain aur dekhte hai hamare Digvijay bhai
sahab ka kya haal hai

Nishkalika:- bohat khub pehli baar aisa koi veer aaya hai jise milne khud Nishkalika aayi
hai Digvijay toh Nishkalika ki khoobsurti me hi kho gaya tha waise Digvijay bhi kafi
handsome tha Nishkalika bhi uske personality se kafi impress ho gayi thi

Digvijay:- toh aap hain Nishkalika bohat suna hai aapke bare me main toh yaha aapse
milne hi aaya tha

Nishkalika:- humse milne kaho humse kyu milna chahte the?

Digvijay:- aapko yudh me chunouti dena chahta hun Digvijay ne bina ghumaye sidhe
mudde ki baat ki

Nishkalika:- hahaha humse yudh kyu marna chahte ho waise bhi tumhare jaise veer bohat
mushkil se milte hain ye ladhne ka vichar tyago humare sena pati ban jao jo mangoge wo
milega

Digvijay:- muskurate hue jab main tumse jeet kar yaha ka raja ban sakta hun toh fir
senapati kyu banu

Nishkalika:- agar tumhari yahi ichha hai toh yahi sahi chalo fir maidan me waise bhi kafi
waqt ho gaya hume shaktipradarshan kare hue

Digvijay:- chaliye fir ab Digvijay aur Nishkalika aamne saamne the maidan charo taraf se
puri tarah bhara hua tha par har taraf khamoshi thi sabhi Nishkalika ki takat se parichit
the toh wahi abhi kuch der pehle Digvijay ne jo kiya tha usse bhi sabhi kafi prabhavit the
Nishkalika ne pure ground ko surakshit kar diya taki kisi bhi dekhne wale ko nuksan na
pahunche

Digvijay:- toh shuru kare Nishkalika ne jawab me apne haath faila diye aur kuch mantra
padha Digvijay jahan khada tha thek uske upar aasman khul gaya aur waha se bohat se
astra Digvijay ke upar barasne lage ab ye waar Digvijay ke liye naya tha par wo jaldi hi
sambhal gaya Digvijay ne apna right hand upar uthaya aur gol gol ghumane laga Digvijay
se 10 feet upar hi ek aur darwaza khul gaya saare shastra uss ke andar jane lage jab saare
shastra uss darwaze ke andar chale gaye toh darwaza band ho gaya par ab Digvijay samjh
gaya tha ki Nishkalika ko wo kam nahi aank sakta jiska pehla waar hi itna ghatak ho wo
aage bohat kuch kar sakti hai Digvijay ne dharti ka awaha kiya pure ground me dhamako
ke saath bade bade gaddhe hone lage Nishkalika hawa me uth gayi par tabhi mitti ne ek
haath ka aakar liya aur niskalika ko pakad liya aur khinch kar ek gaddhe me daal diya jaise
hi Nishkalika andar samayi gaddha bhar gaya abhi Digvijay khush ho hi raha tha ki
Nishkalika zamin phaad kar bahar nikli

Nishkalika:- bas bohat hua usne apne haath upar kiye aasman me bijli kadakne lagi
Nishkalika yahi nahi ruki usne kuch mantra padha jise wo saari bijli ek hi jagah girne lagi
aur uss jagah par bohat bada electrical ball dikhne laga Nishkalika ne apne haath aage kiye
wo ball tezi se Digvijay ki taraf aane laga Digvijay ne mehsoos kiya ki uss electrical ball me
bohat zyada energy hai aur uski speed bhi kafi zyada thi Digvijay ne ek suraksha kawach
banaya aur usme aakaash ki urja bhar ke chhod diya electric ball aur suraksha kawach
takraye aur boomm kaan ko faad dene wale awaaz ke saath blast hua uss blast ka impact
itna zyada tha ki uski chapet me dono aa gaye Digvijay aur Nishkalika dono hi udte hue
door jaa gire dono hi buri tarike se ghayal ho chuke the dard zyada hone ki wajah se dono
behosh ho gaye logon ko toh kuch nahi hua par Nishkalika dwara banaya gaya surakhsha
kawach toot gaya waha baithe kisi me bhi itni himmat nahi thi ki Nishkalika aur Digvijay
me se kisi ke paas bhi jaye kuch aadhe ghante baad dono ko hosh aaya dono ke paas hi
healing power thi issliye dono ke hi ghaav bhar chuke the

Nishkalika:- adbhudh pehli baar mujhe meri takkar ka koi mila hai

Digvijay:- mujhe bhi raja toh ab bhi main banana chahta hun par akele nahimujhe tumhara
saath chahiye kya tum meri rani bonogi ye bolte hue Digvijay apne ghutno par baith gaya
aur apna haath Nishkalika ke aage badha diya Nishkalika ki khushi ka thekana na raha
usne Digvijay ko uthaya aur gale lag gayi

Nishkalika:- main bhi tumse yahi kehna chahti thi agar hum dono ek ho jayen toh pure
bramhaand par raaj kar sakte hain aur Nishkalika ne apne honth Digvijay ke hothon se jod
diye Maharaj Digvijay ki jai ho Maharani Nishkalika ki jai ho ye naara har taraf gunj utha

Wahi dusri taraf:

Balbeer:- ye sab kaise ho sakta hai? kaun hai jo mujhe nuksaan pahuncha sakta hai Balbeer
ye jaan chuka tha ki uske plants aur hotel ko aur kisi ne nahi ussi ke khaas admiyon ne aag
lagayi thi par Balbeer ke chonkne ka kaaran kuch aur tha usse ye pata chal gaya tha ki
uske aadmiyon ko hypnotise kiya gaya hai Balbeer ne bohat koshish ki par hypnotise spell
ke source ka pata nahi laga paya

Balbeer:- kaun ho skta hai jis tak mere spells nahi pahunch paa rahe hain fir achanak jaise
usse kuch yaad aaya arre ye main kaise bhool gaya wo Jairaj ka beta kahi wo toh nahi in
sab ke piche par wo ye sab kyu karega kahi usse pata toh nahi chal gaya ki maine hi uske
baap ki factories aur hotel me aag lagayi hai par kaise? Balbeer ne aankhen band kiusse
Vikram dikhne laga wo kahi jaa raha tha aur iss waqt akela tha

Balbeer:- iska khel hi khatam kar deta hun Balbeer ne apne black magic me se sabse
khatarnak ghatuka spell ka dhayan kiya uske haathon me se black rays nikalkar Vikram ki
taraf badh gayi

Balbeer:- tera khel khatam bache par isse pehle ki kaali rays Vikram ko chu paati Vikram
ka suraksha kavach active ho gaya ek invisible roshni ki chadar Vikram ke har taraf faile
gayi wo rays sidhe uss chadar se takrai aur khatam ho gayi ye sab Balbeer dhayan me
baithkar dekh raha tha uske chhode gaye rays jaise hi Vikram ke surakhsha kawach se
takraye Balbeer ke dimag me ek tez dard utha aur wo behosh ho gaya

Wahi Menakshi Mansion me

Dad:- hello haan what kab? par hamare clients toh thats fantastic news Ashish haan main
nikal raha hun abhi ek ghante me office pahunch jaunga Minu Minu

Mom:- kya hua? aap na abhi bhi bache hi ho thoda sa bhi sabar nahi hai ab jaldi boliye
meri sabzi jal jayegi

Dad:- arre janemann sabzi ka khayal hai aapko aur yaha jo jal raha hai uska kya

Mom:- jal raha hai kahan? kya jal raha hai

Dad:- mera dil jo aapki khoobsurti ko dekhkar aaj bhi jal uthta hai uska kya?

Mom:- aap na beta jawan hone laga hai fir bhi bachpana nahi gaya aapka

Dad:- darling arz kiya hai laakh samjhao samjhta hi nahi ye bhi aapki khoobsurti ka hi asar
hai mom dad ki shayri par sharma gayi

Dad:- kuch toh rehem dikhao kuch toh khuda se daro jaan leni hai toh sidhi lelo sharma
ke hame ghayal na karo

Mom:- aaj bada pyar aa taha hai apko

Dad:- yaar ye toh na insafi hai yun aaj kehkar hamare pyar ko ruswa na karo hum toh
najane kitne janmo se aapke diwane hain

Mom:- bas bas bohat hui flirting ab bataoge bhi mujhe kyu bulaya tha aapne?
Dad:- arre yaartum na apni hotness zara kam karo iske chalte main baaki sab bhool jata
hun ek good news hai

Mom:- really kya?

Dad:- hamare clients jinho ne apni dealership wapas le li thi wo sab humse wapas judna
chahte hain itna hi nahi ye baat pata nahi kaise stock market me bhi leak ho gayi hai jise
hamare shares ki price fir badhne lagi hai mom bas khadi muskura rahi thi

Dad:- kya hua tum khush nahi hui

Mom:- meri khushi aapki aur hamare bete ki khushi me hai aap dono khush toh main
khush

Dad:- oh Minu I am so lucky to have u as my life partner dad ne mom ko ek tight hug diya
maathe par kiss kar office nikal gaye

Back to hero:

Main:- aunty namaste Ronit hai kya

R/Mom:- aao beta kya baat hai aaj savere savere hi darshan de diye aapne itni
meherbaani

Main:- aunty kal hi toh maafi maangi thi aapse ab mom dad ka order thakaise mana karta
chaliye ek aur baar maafi mangta hun ye bolkar main aunty ke pairon ke aage ulta let gaya

Main:- hamka maafi de do aunty

R/Mom:- bas kar nautanki tu nahi sudherga jaa wo apne kamre me hi hai Anjali bhi aayi
hai tum logon ka aajka koi plan hai kya?

Main:- ab tak toh nahi hai dekhte hain phir main upar Ronit ke room ki taraf chal diya upar
pahuncha toh dekha dono xbox me lage hue the

Main:- kameeno dono ko itne call kiye ek ka bhi reply nahi kiya upar se mujhse milne bhi
nahi aaye waah re mere bestfriends maine ye sab bas mazak me hi kaha tha dono mujhe
yun achanak apne saamne dekh chonk gaye par fir bina dhayan diye khelne lage mujhe
ye bohat bura laga par maine jane diya maine jaake tv ka power button band kar diya jab
bhi humme se koi bhi apni baat manwana chahta tha aisa hi karta tha hum teeno ke beech
ye bohat normal si baat thi par iss baar jo hua wo maine kabhi nahi socha tha
Ronit:- ghusse me abbe ye tera ghar nahi mera ghar hai apni manmaani apne ghar me
jaakar karna yaha nahi Anjali ne Ronit ka haath dabaya par tab tak wo zeher ugal chuka
tha Ronit hamesha se hi aisa tha ghusse me usse ehsaas nahi hota tha ki wo kya bol raha
hai par iss baar usne line cross kar di thi mera para kafi chadh gaya thapar maine khud ko
control kiya

Main:- sorry aage se dhayan dunga meri aankhen bhar gayi thi isse pehle ki mere aansun
dikhte main palat gaya aur jane laga par mera haath kisine pakad liya ye Anjali thi maine
apni aankhen saaf ki aur muda

Main:- kya hua

Anjali:- sorry yaar Vj tu toh janta hai na isko ghusse me kuch bhi bol deta hai par tune bhi
toh humse jhoot bola ki tu apni mom ke kisi relative se milne jaa raha hai jabki hume pata
hai ki tu kahi aur gaya tha maine Anjali ki aankhon me jhanka Ronit ne Anjali ko jo jo
bataya tha wo sab mujhe dikh gaya main bas muskurakar wapas palat gaya

Anjali:- kuch kahega nahi

Main:- jo aapki khamoshi ko na samjh paye wo aapke lafzon ko kabhi nahi samjh sakta
main bahar jane hi wala tha ki Ronit ki awaaz se fir ek baar ruk gaya

Ronit:- abbe ja na tujhe kisne roka hai tere jane se hume bhi ab koi fark nahi padta main
Ronit ke saamne jaakar

Main:- tu yeh do baatein kabhi mat bhulna pehli jo tune abhi kahi aur dusri jo main kehne
wala hun abhi tune jo bhi kaha maine sun liya kyu ki ab tak main tera dost tha par ab jab
bhi tu mere saamne aaye toh ye yaad rakhna ki tere saamne Vikram Jairaj Singh khada
hoga jiske saamne akad bhi jhuk kar chalti hai issliye jab bhi mujhse saamna ho apni
bhalayi ke liye apne zubaan ko uski had yaad dilate rehna warna tu khud ki hi shakal nahi
pehchaan payega aur tujhe toh ache se pata hai ki Vikram jo bhi bolta haiwo ho jata hai
chal chalta hun

Ronit:- saale tu mujhe dhamki de raha hai abbe ummm iske aage Ronit bol nahi paya kyu
ki maine uska gala pakad kar utha diya tha

Main:- abbe moti budhi ek baar me baat samjh nahi aati kyu?

Anjali:- kya kar rahe ho Vj usse niche utaro


Main:- Vikram Vj main sirf doston ke liye hun aur mujhe bolna chhod aur iss mand buddhi
ko samjha abhi toh sirf zamin se uthaya haiagar aur bakwas ki naa toh duniya se utha
dunga maine Ronit ko uthakar bed par fek diya Anjali bhaag kar uske paas gayi wo apna
gala pakad kar khaans raha tha par main ruka nahi aur waha se nikal gaya mere jane ke
baad kuch time tak Ronit khansta raha par fir thek ho gaya

Ronit:- dekha tune ek toh galti karta hai upar se chatakk

Anjali:- chupbilkul chup tu samjhta kya hai apne aap ko jab dekho apni chalata hai hum
dost hain tere gulaam nahi hai jo tere hissab se chalenge saale doob mar teri wajah se
meri bhi bachpan ki dosti toot gayi saale pehle mujhe kasam di ki main Vj se baat naa
karun pehle usse jawab mangen ge aise maangte hain jawab aur kya bola tha tune ye tera
ghar nahi hai tu jo uske ghar din raat pada rehta tha tab ye baat yaad nahi aayi ki wo bhi
tera ghar nahi hai hamare beech ye tera ye mera kab se aa gaya aaj pehli baar maine uski
aankhon me aansu dekhe hain wo bhi hamari wajah se jo usse apna best friend bolte hain
unki wajah se ye bolte bolte Anjali ke aankhon se ansu nikal gaye

Ronit:- tujhe uski galti nahi dikhti kya? chataakk

Anjali:- chup ek dum chup kya galti hai uski yahi ki wo apne relative ke yaha nahi kahi aur
gaya tha par kyu gaya thakya wajah ho sakti hai ki pehli baar hume bina bataye usse jana
padh raha haijanane ki koshish ki tune aur chal agar nahi bhi batayatoh kya ye koi gunah
hai jo aise gairon ki tarah treat kiya usse tune aur apne saath saath mujhe bhi karwaya
yaad hai Vj hamesha tujhse kehta tha ki apne ghusse ko apne jasbaton par haavi mat hone
diya kar warna ek din bohat pachtayega aaj hi wo din hai Ronit ghussa wo rishta hai jo
kuch waqt ke liye rehta hai par dosti ka rishta zindagi bhar ke liye tune apne ghusse ko
dosti se upar rakha aaj tune ek nahi do dost khoye hain aaj se teri meri dosti bhi khatam
Anjali rote hue waha se chali gayi aur Ronit thaga sa khada reh gaya

Idhar mera mood off ho chuka tha ghar jane ka bhi mann nahi kar raha tha maine ek auto
ki aur mall ke liye nikal pada main mall pahunch ke aa toh gaya hun ab kya karun pehle
mom ko phone kar leta hun maine ek booth se mom ko call karke bata diya ki main lunch
bahar hi karunga (mere Ronit aur Anjali teeno ke paas filhal mobiles nahi hain hamne
decide kiya tha ki 10th cross karne ke baad hi mobile use kare ge) mom se baat karke main
mall ke andar chala gaya

Main:- ab kaha jaun ek kaam karta hun movie hi dekh leta hun main movie dekhne pvr
me chala gaya puri movie me mujhe aaj subah jo hua wo hi yaad aa raha tha kab movie
shuru hui kab khatammujhe pata hi nahi chala ab bhook lagne lagi thi toh main food
corner ki taraf chal pada lunch kar bill pay karke main palta hi tha ki ek ladki mujhse takra
gayi uske haath me coffee thi jo mere t shirt me gir gayi

Ladki:- oh shit I’m extremely sorry mera dhayan nahi tha I’m really sorry please

Main:- arre relax its ok ho jata hai kabhi kabhi abhi tak usne mera chehra nahi dekha tha
wo meri tshirt jispe usne coffee gira di thi usse hi dekh rahi thi meri awaz sunkar usne
mere chehre ko dekha toh shocked ho gayi

Priyanka:- sir aap oh my Godi just cant believe it ye maine kya kar diya I’m really sorry sir

Main:- hehe first of all relax aur aap mujhe sir bol rahi hain kya aap mujhe janti hain

Ladki:- of course sir main bhi St Joseph ki student hun aapki junior 8th me hun by the way
mera naam Priyanka hai (apne hero ki saalii mean hone wali)

Main:- oh I see well nice to meet u Priyanka chaliye main chalta hun

Priyanka:- par sir aapki tshirt

Main:- I’ll manage

Priyanka:- sir ek request hai kya aap meri sisters se mil sakte hain please sir

Main:- aap ki sisters se par kyu?

Priyanka:- sir iss saal wo bhi hamare school me padhne aa rahi hain aur wo sab aap hi ki
class me hain maine unhe aapke bare me bataya hai please sir ek baar mil lijiye naa maine
bohat naa bola par wo maani nahi aur mujhe wait karne ko bolkar chali gayi par mujhe
late ho raha tha toh main nikal gaya dusri taraf wo doudte hue apne sisters ke paas
pahunchi par waha sirf Avantika khadi thi

Priyanka:- Avni di Vaani di aur Shanaya di kaha hain?

Avantika:- wo toh bathroom gaye hain kyu kya hua?

Priyanka:- oho ye di log bhi naa galat time pe hi inhe pressure aata hai

Avantika:- bateyegi kya hua hai?

Priyanka:- bataungui nahi dikhaungi aap chaliye mere saath

Avantika:- ruk toh kaha jana hai pehle ye bata


Priyanka:- oho di aap sawal bohat puchte ho aapko yaad hai kal raat maine apne school
ke topper ke bare me bataya tha Vikram Jairaj Singh wo yahi hain maine unhe rok ke rakha
hai chaliye milati hun Vikram naam sunke pata nahi Avantika ke mann main kya aaya wo
chup chaap Priyanka ke peeche peeche chal di par jab dono pahunche toh main waha
nahi tha

Priyanka:- are kaha gaye yahi toh khade the arre wo dekho exit gate ke paas hain Avantika
ne dekha toh main bahar nikal raha tha sirf mera back dikh raha tha

Priyanka:- gaye kya dibina sawal jawab kiye aate toh mil lete unse

Avantika:- itni bhi kya jaldi thi usse jo rokne par bhi chala gaya fake attitude

Meri Ronit aur Anjali ke jhagde ko pura ek mahina ho gaya tha uss jhagde ke agle din hi
Anjali mere ghar aayi thi

Anjali:- hey Vj whats up?

Main:- sidhe topic ki baat kare Anjali ko mere jawab se kafi taklif hui kyu ki iss tarah se
baat me baaki saare claas mate se karta tha point to point wo samjh gayi ki ab wo bhi
mere liye baakiyon me se ek hai

Anjali:- Vj mujhe ek baar explain karne ka mouka toh de

Main:- hmm theek hai par usse pehle ek sawal ka jawab de agar koi kisi ka murder kar de
aur usse murder karte hue ek third banda dekh le par Police ka naa bataye toh kya wo
sahi hai ya galat

Anjali:- bilkul galat chup rehna bhi murder karne jitna bada hi jurm hai

Main:- fantastic ab apna explanation shuru kar

Anjali:- Vj trust me yaarkal jo bhi hua waisa karne ka na mera koi intension tha na hi Ronit
ka mujhe nahi pata tha ki Ronit itna zyada bol dega usne mujhse kaha tha ki tune hum
dono se jhoot bola hai tu apne kisi relative ke yaha nahi kisi Baba ke saath gaya hai jis din
tu ja raha thaRonit apne dad ke saath kahi se aa raha tha usne tujhe kisi Baba ke peeche
peeche bag latkaye jaate dekha par wo car me tha ghar pahunchte hi wo turant jahan se
tu jaa raha tha uss taraf bhaga par tab tak tu jaa chuka tha usne ye mujhe bataya par
mujhe yakin nahi hua hum dono tere ghar aaye par aunty ne kaha ki tu toh unke relative
ke yaha jaa chuka hai Ronit ne mujhse kaha ki tune hi aunty ko jhoot bolne ko kaha hai
aur jab tak tu sach nahi batayega hum tujhse baat nahi kare ge issliye main kal chup thi
Main:- hmm thek uss third bande ki tarah hai naa pehle toh Anjali nahi samjhi par jab usse
meri baat ka matlab samjh me aaya toh uske aansu nikal gaye wo samjh gayi ki Ronit ne
ka bolna jitna galat thautna hi uska chup rehna bhi galat tha wo aage kuch nahi bol payi
aur chali gayi hum teeno ki families kafi close hain har mahine teeno me se kisi bhi ek ghar
me ek get together rakha jata hai jisme bas hum teeno families hi rehte hai iss baar ka get
together kal shaam hamare ghar me tha jisme hum teeno ke beech ki tension sabhi ne
notice ki thi par kisine bhi humse kuch nahi kaha aur poora get together smoothly khatam
hua

Next day (Menakshi Mansion) breakfast ke baad main bahar pool ke paas baitha kuch
soch raha tha ki dad ki awaaz mere kaano me padi

Dad:- kaha khoye ho barkhurdar maine saamne dekha toh dad aur mom dono mere
saamne khade the

Main:- kahi nahi dad bas studies ke bare me soch raha tha dad aur mom dono mere
saamne aakar baith gaye

Dad:- beta main ye toh nahi janta ki tum teeno ke beech kya hua haiaur main interfere
bhi nahi karunga after all its your life but beta ye yaad rakhna ki ache friends aasani se
nahi milte aur jhagde kabhi bhi kisi relationship se bade nahi hote main dad ki baat par
muskura diya

Main:- main ye baat janta hun dad main uthkar jane laga par mom ki baat sunkar ruk gaya

Mom:- beta jo bhi hua ho tum logon ke beechkya tu wo sab bhul nahi sakta

Main:- dad aap hi kehte hain naa ki agar koi tumhare sharir ko chot pahunchaye toh bhale
usse ek baar maaf kar do par agar koi tumhare dil ko chot pahunchaye toh usse kabhi
maaf mat karna aakhri line bolte waqt mera gala bhar gaya tha momdad sab kuch dekh
sakte hai par mere aansu nahi

Dad:- beta ek baat yaad rakhnateri khushi se hi hamari khushi judi hui hai agar kabhi tu
udas hua toh samjh jana ki tu khud ko nahi hame udas kar raha hai main jaakar dono ke
gale lag gaya

Main:- ye baat main ache se janta hun and momdad u guys don't have to worry about me
main apka beta hun aur apke bete ko pysically ya mentaly harana itna asaan nahi hai ok
mom dadmujhe school call karna hai toh main room jaun
Mom:- haan tu jaamain lunch ke waqt awaaz dungi fir pure din kuch khaas nahi hua par
main kal ke liye bohat excited tha kal 25th may tha mera birthday par meri excitement ki
wajah kuch aur thi kal hamare board exams ka result aane wala tha

Dinner ke waqt:

Dad:- toh fir excited for tomorrow

Main:- of course dad kal ke liye hi toh pure saal mehnet ki thi

Dad:- mehnet ki thi kiski baat kar raha hai?

Main:- result ki aur kis ki kal hamare board exam ka result aane wala hai naa waise aap
kis chiz ke bare me baat kar rahe hain

Dad:- arre duffer kal tera birthday hai

Main:- oh teri main toh bhul hi gaya tha

Mom:- le kahe ka topper hai tu apna birthday tak yaad nahi rehta

Main:- oh come on mom uske liye aap dono ho naa waise bhi birthday bhi koi yaad rakhne
ki chiz hai

Mom:- tere liye nahi hogi par hum dono ke liye kal ka din hamari zindagi ka sabse bada
din hai

Main:- mom please no meena kumari sentiments ok ye baat aap mujhe pehle bhi 1000
times bata chuke ho

Mom:- aur aage bhi batati rahungi

Dad:- waise kal ka koi prograame banaya hai kya? ab main kya kehta mere har birthday ki
planning toh Ronit aur Anjali karte the

Main:- no dad koi plan nahi hai

Dad:- main kya kehta hun tere birthday aur top karne ki khushi me kal ek badi si party
dete hain

Main:- apko kisne bol diya ki maine top kiya hai

Dad:- mujhe kaun batayega mujhe pata hai mera bete hi top karega
Main:- ab wo toh kal hi pata chalega ki main kis position me aaya hun par haan ek baat
clear kar dunkoi party nahi hogi

Mom:- kyu nahi hogi

Main:- arre mom mujhe nahi pasand ye sab ek cake mangwa lena aap dad main Martha
aunty aur ghar ke saare staff toh hai naa main cake kaat dunga ho gayi party and no more
discussions on this ye final hai acha mom dad kal morning mujhe jaldi school jana hai toh
main sone jaa raha hun mujhe pata tha aur thodi der bhi ruka toh mom dad koi na koi
emotional drama karke party ke liye mujhe manwa hi lenge to main dono ko good night
keh kar bhaag gaya phir mere jane ke baad:

Mom:- ab kya kare humne to invites bhi bhej diye hain ye toh mana kar raha hai

Dad:- karne do main bhi iska baap hun party toh hoke rahegi wo bhi itni shandar ki pura
Mumbai dekhta reh jayega

chaliye dekhte hain hamare Balbeerji ke hosh me aane ke baad kya hua

Small flashback:

behosh hone ke kuch ek ghante baad Balbeer ko hosh aaya

Balbeer:- ye kaise ho sakta hai itni urja ki meri hi shakti wapas mere taraf mod di itna
sashakht surakhsha kawach kaun bana sakta hai jitna socha tha ye maamla toh usse bohat
zyada gambhir hai aamne saamne ki ladhayi se hi usse hara sakta hun par abhi ye mumkin
nahi devil lord bhi abhi nahi hain mujhe unke lautne tak intezar karna hoga par uss ladke
par nazar toh rakhni hi padegi

Balbeer:- Glazer Riddik Balbeer ke saamne do kaale dhuen uthe aur uske beech se do
devils prakat hue Balbeer ne unhe kuch instructions diye dono sir jhuka kar gayab ho gaye

Balbeer:- Vikram kuch waqt aur jee le jis din lord aaye tu aur teri family khatam

Flashback ends:

morning kamre me knock hone se meri neend khuli maine jakar room khola toh mom thi

Mom:- good morning bacha kya baat hai aaj mujhe tujhe uthana pada

Main:- good morning mom acha khasa jaldi so gaya tha khud mujhe aadhi raat ko uthakar
wish karte ho fir neend bhi late se aayi toh jaldi kaise uthun?
Mom:- sab teri galti hai door lock karke kyu sota hai hame laga friends se baat kar raha
hoga issliye knock kiya

Main:- acha wo sab chhodo abhi kitne baje hain?

Mom:- 6 baj gaye

Main:- whatt mom aap pehle nahi utha sakte the 8 baje school pahunchna hai

Mom:- haan toh kya hua abhi kaun si der hui hai

Main:- arre mom aapko pata hai mujhe hadbadi me kuch bhi karna acha nahi lagta

Mom:- toh ek kaam kar sirf fresh hoker chala jaa kaunsa claas lagni hai aakar naha lena

Main:- mom ab main aapki har khubi toh apna nahi sakta naa

Mom:- haan wo toh haihainnn ek min kya bola tu ruk batati hun tujhe apni mom ka mazak
udata hai par tab tak main bathroom me ghus chuka tha fatafat naha dhokar neeche aaya
breakfast laga hua tha main fatafat khane laga

Dad:- arre aaram se itni bhi deri nahi hui hai sirf 7 baje hain aaram se time par school
pahunch jayega par main kaha sunene wala tha jitni jaldi ho sake breakfast khatam kiya
main utha hi tha ki

Martha aunty:- haapy birthday Vicky Baba God tumko hamesha khush rakhe maine aunty
ke pair chue

Martha aunty:- arre ye kya karta hai Baba

Main:- aur kya karunga blessings le raha hun chaliye chalta hunbye dad bye mom

Mom/Dad:- bye beta all the best main car me baith nikal pada school ki taraf

Wahi Vaani ke ghar me:

Anukrtii Arora:- arre main apko kal batana bhul gayikisi Jairaj Singh ke ghar se invite aaya
hai iss waqt puri Arora family including Avni & Shanaya breakfast kar rahe the

Satish Arora:- Jairaj Singh wo cement king main toh khud unse milne ki soch raha tha chalo
acha hua issi bahane mulakat ho jayegi waise kis chiz ka invite hai? (Satish arora: Mumbai
underworld don par duniya ke liye ek business man hain inke India bhar me malls aur
hotels hain)

Anukriti:- unke bete ka birthday hai ussi ke liye party di hai


Priyanka:- arre waah aaj Vikram sir ka birtday hai

Satish:- tum unke bete ko kaise janti ho?

Priyanka:- wo school me mere senior hain

Satish:- oh

Priyanka:- ye toh kamal ho gaya aaj unka birthday bhi hai aur unke 10th ka result bhi

Satish:- acha kaisa hai studies me ladka? abhi Priyanka kuch kehti usse pehle Vaani bol
uthi

Vaani:- arre dad isse na hi puchiye toh thek hai warna abhi Vikram puran shuru kar degi
ye fan hai uski

Satish:- acha itna tez hai studies me

Priyanka:- haan hun main fantoh aur dad padhai me hi nahi wo sabme no ek hain

Satish:- acha fir toh milna padega Avantika ye sab sun kar kuch soch rahi thi

Anukriti:- waise aaj Avni aur Shanaya tum logon ka bhi toh result hai naa

Shanaya:- haan maami Priyu dekhte hain kiska result zyada acha aata hai hamara ya tere
uss Vikram ka

Anukriti:- oho competition

Shanaya:- bilkul

Priyanka:- thek hai fir main Vikram sir ke class me ek didi ko janti hun main unse Vikram
sir ka result puch lungi

Satish:- uski kya zaroorat shaam ko chal rahe hain na hum sab unki party me waha usse
direct puch lena

Priyanka:- haan ye sahi rahega

Avantika:- (mann main) toh aaj mulakat hogi Mr Vikram se wahi school me

Anupriya mam:- (class teacher) Vikram you are 10 minutes late

Vikram:- I’m really sorry mam it wont happen again


Mam:- relax I’m just kidding go join the line iss waqt pura 10 th ICSE department ground
me khada tha main bhi jaakar aakhri me khada ho gaya saamne stage par hamare Principal
Mr BK Yuel sir aur faculty members khade the do aur log bhi the jinhe main nahi janta tha

Principal:- I’m very proud to announce that our schools 10th result has retained the record
of last year of 100% passing results main dusri line me aage khade Ronit ki taraf dekha jo
announcement sunkar khush ho gaya tha aap sab apne results aapke class teacher se le
sakte hain yaha hum sirf top two results announce karenge so without any further due
2nd position achieve kiya hai with 95% Miss Anjali Ramnani ne pura ground taliyon se gunj
utha Anjali ne ek baar meri line ki taraf dekha par mere aakhri me khade hone ki wajah se
main usse dikha nahi uska chehra utar gaya apni trophy aur certificate collect kar wo
wapas apni line me khadi ho gayi

Principal:- now coming to the first position jis student ne iss baar first position achieve ki
hai uss student ne na sirf iss school me naa hi shahr me aur na hi state me balki puri
country me ICSE level par first position haasil ki hai sabhi sir ki anouncement se shocked
ho gaye

Principal:- so without wasting any more time let me welcome on stage not only our
school's but India's most intelligent student Vikram Jairaj Singh every body give him a big
hand sir ki anouncement sunkar main bhi kafi shocked ho gaya tha ussi condition me main
stage ki taraf badha ek baar fir pura ground taliyon se gunj utha Anjali aur Ronit dono ki
aankhon me aansu the par maine dhayan nahi diya aur stage par chadh gaya

Principal:- one more thing aaj hamare beech ICSC Board ke Director aur Secretary maujud
hai aur kuch kehna chahte hain

Director:- hum yaha ye batane aaye hain ki Vikram ko pure country me first aane ke liye
icse board ki taraf se 25 lakh ka scholarship milta hai congratulations Vikram u deserve it
ye mere liye ek aur surprise tha maine apni trophy certificate aur cheque liya aur neeche
aa gaya saare teachers aur mere claasmates mujhe badhai de rahe the Anjali aur Ronit
alag alag khade hokar bas mujhe dekh rahe the

Anil:- (class mate) arre ye Ronit aur Anjali kaha hain sab ne tujhe wish kar liya par tere
besties hi gayab hain apna naam sun dono hi mere paas aane lage

Main:- shayri sunega (Anil ko mere shayri kafi pasand the)

Anil:- neki aur puch puch irshayad tab tak dono mere paas aa chuke the yahooo aur issi
ke saath shuru hua Miss Shanaya Ahuja ka desi dance (dosto aap me se jo bhi branded
kapdo se ladi hifi type dikhne wali ladkiyon se baat karne me katrata hai trust me andar
se ye bhi dhinchaak hoti hain par sirf ghar me) aur bina matter jane uska saath dene
manch par utri hamari cute si Priyanka

Avantika:- oye pagal ho gayi hai kya? aur Priyu tu kis khushi me naach rahi hai

Priyanka:- didi akele naachti achi thodi lagengi toh main bhi naach rahi hun

Vaani:- hey bhagwan kya behan di hai tune ek number ki dhakkan hai tum dono ye
naachna band karoge aur seriously isse dance kehte hainaisa lag raha hai dono ke peeche
kisine kutte chhod diye hain

Shanaya:- oye mere dance ke bare me kuch mat kehna Avni se bas thoda kam hi aata hai

Avantika:- arre meri maamujhse bhi acha dance karti hai tu ab batayegi abhi kis khushi
me dance kar rahi hai?

Shanaya:- arre janemann results aa gaye hai 96.2 % ke saath main second aayi hun aur
darling tune toh dhawalpur district me top kiya hai pure 97% ke saath aaaa aur jaisi ki
ummid thi inka bina sar pair ka chillana shuru ho gaya

Avantika:- really I’m so happy for you

Shanaya:- I’m happy for you

Avni:- arre humse bhi badhayiyan lelo yaar congrats babes

Avni/Shanaya:- thanks sweet heart

Priyanka:- itni badi newschote se thanks se kaam nahi chalega party deni padegi aap dono
ko

Shanaya:- done aaj hi karte hain

Priyanka:- aaj nahi aaj toh Vikram bhaiya ke ghar jana hai na party me

Shanaya:- Vikram se yaad aayadekha maine kaha tha naa humse aage koi nahi wo toh sirf
school me first aata hai aur hum dono toh pure district me 1st aur 2nd aaye hain

Priyanka:- main nahi maanti aur abhi unka result pata nahi chala hai

Vaani:- tu hamari behan ya uski

Priyanka:- fact is a fact


Vaani:- wo toh shaam ko pata chal hi jayega khair wo sab chhodo party hum log baad me
kar lenge par shaam ke liye shopping bhi toh karni hai party me sabse hot humko hi dikhna
hai

Priyanka:- shopping yahoo chalo fir turant nikalte hain chaliye inhe shopping karne dete
hain aur apne hero ki taraf chalte hain

Main:- mom dad ye sab kya hain? main just abhi ghar pahuncha tha par car andar nahi jaa
payi kyu ki bahar hi kafi media reporters khade the aur side me momdad ke saath saath
AnjaliRonit aur dono ke parents khade the abhi dad ya mom kuch kehte usse pehle hi

Reporter:- sir pure India me 10th board exams me first position achieve kar aapko kaisa
lag raha hai

Dad:- meri aap sab se request hai ki abhi koi sawal mat puchiye aaj mere bete ka birthday
bhi hai iss dohri khushi me humne raat ko ek party rakhi hai aap sab bhi invited hain aap
apne sawal wahi puch lijiyega

Reporter:- ye hain Mr Jairaj Singh the proud father of Vikram Jairaj Singh jinho ne iss saal
icse board examination ke aaj tak ke sabhi records tod diye hain iss news ki puri story hum
aaj raat ko khud Mr Vikram Jairaj Singh se sunenge camera mann ravi ke saath main
sonam ******* se dad ne sabko thanks kaha uar hum sab andar aa gaye andar hall me
pahunchke dad bina kuch bole mere gale lag gaye fir mom ne mera maatha chuma dono
kuch bol nahi rahe the bas dono ki aankhon me aansun aur chehre par muskurahat thi

Main:- kya dad aap toh khud keh rahe the ki mera beta hi top karega toh fir itne emotional
kyu?

Dad:- aaj tak jab bhi koi tere bare me baat karta tha toh ye kehta tha ki ye Jairaj Singh ka
beta hai jise sunke main janta hun tujhe proud feel hota tha haina

Main:- of course dad sirf issliye nahi kyu ki aap mere dad hain aapne apne dum pe jo
mukaam haasil ki hai wo bohat kam log hi kar paate hain thats why I’m really proud of
you

Dad:- janta haiek baap ko garv kab hota hai? jab log usse uske bete ke naam se janane
lagte hain itna bada industrialist hunfir bhi aaj pehli baar uss reporter ne tujhe mera beta
nahi balki mujhe tera dad kehkar introduce karwaya ye meri life ka sabse bada din hai
mere bache dad ek baar fir mere gale lag gaye waha moujud sabki aankhen bhar chuki thi
mahoul ko halka karne ke liye
Mom:- dono baap bete saara pyar aapas me hi baant lo meri toh koi value hi nahi hai

Dad:- arre meri jaan agar aapke bina toh hum adhure hain aapke hi saath se toh aisa sher
jaisa beta hua hai

Mom:- jao ji aas paas dekh bhi liya karo kahi bhi shuru ho jaate ho

Harpreet uncle (Ronit's dad):- ab hamse kya sharmana bhabhiji hum koi gair thodi hain
par ek baat hai yaartu na bhabhiji se thoda kam romantic hua kar tere chakkar me teri
bhabhi mujhe sunati rehti hai ki main tere jaisa iske saath nahi nahi karta ab yaar jonny
lever se shahrukh khan ka kaam karne bologe toh kaise chalega uncle ki baat par sab hans
diye

Kavita aunty:- tum nakuch bhi bolte ho aur yaha hum apne bache ke liye aaye haiaap
logon ki baatein sunane ke liye nahi aunty mere paas aayi main unke paon chhune jhuka
hi tha ki unhone mere kaan pakad liye

R/Mom:- badhai toh tujhe baad me milegi pehle ye bata ki ek mahine se ghar kyu nahi
aaya naraz toh tu iss nalayak (Ronit) se hai naaisme hamari kya galati

Neha aunty (AnjalI’s mom):- hame apna manta toh humse milne aata na ek hum hain jo
isse apne bachcho se badhkar pyar kiya haipar isse kya hum thodi na iske kuch lagte hain
Neha aunty aur Kavita aunty dono ki aankhon me aansu the main dono ke pairon ke paas
baith gaya

Main:- mujhe maaf kar dijiye aunty chahe toh maar lijiye par plz royiye mat maine bhi
apko maa ka hi darja diya haiaur uncles ko dad ka aaj jab mujhe pata chala ki main first
aaya hun meri aankhon ke saamne sirf mom aur dad ka nahi aap sab ka chehra ghum gaya
tha bhale hi hamare ghar alag alag hainpar hum sab ek family hain aur hamesha rahenge
par meri wajah se aapke aankhon me aansu aaye aap jo saza dena chahe de dijiye

Dono:- saza toh tujhe milegi ye kehkar dono ne apne haath uthaye kaha beta thappad
maine bhi apni aankhen band kar li mujhe mere gaalon par kuch gilka ehsaas hua maine
apni aankhen kholi dono ne thappad nahi ek ek pappi chipka di thi

Main:- aunty sukhi pappi diya karo na ye gili gili pappi aapke future bahu ke liye chhod do

Kavita aunty:- kya bola tu 10th kya paas hua girlfriend banane ki baat karta hai fir ho gayi
meri thukai chalu par maa ke haath se bhi kabhi lagta hai kya thodi der halka halka mujhe
maarne ke baad aunty ne mujhe chhod diya fir maine sabke pair chukar aashirwad liya
Main:- acha main change karke aata hun

Maa:- thek hai abhi tak maine Anjali aur Ronit ko avoid hi kiya tha main upar apne kamre
me chala gaya mere jane ke baad neeche sab Anjali aur Ronit ki taraf dekhne lage dono
sir jhukayee mere kamre ki taraf chal badhe mere kamre me hum teeno ki ak badi si photo
thi main ussi ko dekh raha tha mujhe mere peeche kisike hone ka ehsaas hua main palta
toh dekha ki Ronit neeche ghutno ke bal baitha hua hai

Ronit:- maine jo kiya jo kaha wo maafi ke kabil nahi main ye toh nahi keh sakta ki mujhe
maaf karke fir se dosti karle kyu ki main tera dost kehlane ke layak nahi hun bachpan se
hi meri har galti ko tu dhakte aaya hai najane kitni baar mom dad ki daant se bachaya hai
main bina soche samjhe kisi se bhi bhid jata thapar sirf teri wajah se bach jata tha tere aur
Anjali ke liye main over possesive ho gaya tha mujhe dar laga rehta tha ki kahi ham alag
na ho jayen uss din jab tujhe jata hua dekha toh mera dar mere sar par chaddh gaya pata
nahi mujhe kya huakuch bhi ulta sidha sochne laga pehli baar tha jab tu ek mahine ke liye
humse door hua tha mere andar ghussa badte hi jaraha tha fir achanak tu saamne aa gaya
main khud ko control nahi kar paya aur wo sab bol baitha main justification nahi de raha
hunbas apne mann ka thoda bojh halka kar raha hun mujhe maaf kar de bhai Ronit aage
kuch na bol paya aur rone laga ye first time tha jab maine usse rote hue dekha tha Anjali
darwaze ke paas khadi ye sab sun rahi thi wo bhi ro padi

Main:- maaf kiya chal ab nikal Ronit ne meri taraf dekhamere chehre par koi expression
nahi the bhaari kadmo se wo uthaaur bheegi aankhen liye bahar jane laga

Main:- puri baat sun pehle Ronit palat kar meri taraf dekhne laga

Main:- tu andar aa Anjali bhi sar jhukar andar aa gayi

Main:- rank laga hai dono ka acha sa restuarant dhundo aur party do chalo niklo dono
daudte hue aaye aur mere gale lag gaye aur zor se rone lage

Main:- hato be dono puri shirt geeli kar di dono ne ek ek mukka mere pet par maar diya

Main:- aahh ab toh bas karo kameeno mujhe bhi rulaoge kya par dono me se kisine mujhe
nahi chhoda abhi ye sab aur chaltapar mummy aa gayi

Mom:- hmm toh bharat milap ho gaya teeno ka mom ki awaaz sun dono mujhse alag hue

Main:- thank God aap aa gayi mom warna aaj yahi khade khade naha leta

Ronit:- chup be
Main:- haan aise raha kar rona dhona tujhe suit nahi karta

Anjali:- toh rulata hi kyu hai

Main:- waah beta ulta chor kotwaal ko daante

Anjali:- haan toh kya karega

Main:- kya karunga kuch nahi karunga mere reaction se sabhi hans pade

Mom:- tum teeno ka ho gaya toh bata do mujhe kuch kaam tha

Main:- haan mom bolo naa

Mom:- tujhse nahi in dono se

Dono:- haan aunty kahiye naa

Mom:- iske saamne nahi neeche aa jana

Main:- kyu mere saamne kyu nahi

Mom:- wo sab baad me pata chalega abhi tum dono neeche aao aur tu fresh ho jaa maine
bhi kandhe uchka diye aur wo dono neeche chale gaye neeche

Mom:- suno aaj ek party rakhi hai

Anjali:- wow party aunty pehle bolna tha naa main kya pehenungi

Ronit:- chup kar ja tu ek min party ka naam suna nahi ki shopping ka bhoot ghus jata hai
tere andar Anjali ne mouh bana liya

Mom:- arre puri baat toh suno Vicky ko pata nahi hai iss party ke bare metoh tum log
ghumne ke bahane usse bahar le jao aur sidhe shaam ko lekar aana

Ronit:- done aunty dono wapas mere kamre me aa gaye aur mom sab ke paas chali gayi
mom se sabko hamare patch up ke bare me bata diya jise sunkar sab bohat khush ho gaye
idhar jab dono mere kamre me pahunche tab main bathroom me tha

Ronit:- chalo acha hai kamina chupke hamari baat nahi sun raha tha par unhe nahi pata
tha ki main sab sun chuka hun kaan jo itne tez hain par main bhi khush tha ek toh main
1st position pe aaya tha aur usse bhi important aaj mere dono frnz mujhe wapas mil gaye
the Ronit ne cupbard se mera ek tshirt aur jeans nikal liya aur wahi pehenne laga

Anjali:- oh besharam main yahi khadi hun


Ronit:- tu toh aise sharma rahi hai jaise koi ladki ho?

Anjali:- phir bhi kya bola tuchup kar jaa warna pitaga mere hathon

Anjali:- tu toh Vj ke kapde pehen lega main kya pehnu main aise bahar nahi jaungi tabhi
main bathroom se bahar aaya

Main:- kaha jana hai?

Ronit:- wo wo haan yaar ek mahine se hum tere chakkar me kahi bahar nahi gaye toh
socha aaj din bhar ghumenge aur sun tujhe birtday wish bhi hum abhi nahi kare ge shaam
ko gift denge tab kare ge Ronit flow flow me zyada bol gaya

Anjali:- beda garg saale tu mouh hi mat khola kar thoda toh usse sochne deta ki hum wish
kyu nahi kar rahe bas mouh khola aur bak diya

Ronit:- arre haan yaar sorry

Anjali:- ab tere sorry ka achar daalun

Main:- arre tum log ladhna band karo Anjali hum pehle tere ghar chalte hain waha tu
change kar lena fir chalenge ghumne fir luch khaas nahi hua hum teeno niche aaye
permission li aur chal pade ghumne hum din bhar ghumte rahe aaj itne dino ke baad in
dono ke saath ghum kar dil ko ek alag hi sukun mil raha tha shaam dhalte dhalte hum
wapas aa gaye waise toh main sab janta tha fir bhi chonkte hue bola

Main:- ye ghar kyu saja hai kh

Ronit:- tere birthday celebration ke liye dekh naraaz mat hona yaar uncle aunty ka bohat
mann tha plz maan ja na

Main:- arre main naraz nahi hun chalo andar chalte hai dono mujhe normal dekhke bohat
khush ho gaye aur hum teeno andar chale aaye lawn me hi sab khade the saare staaf ke
saath dad aur dono uncles khud decorations kar rahe hum teeno ki mom’s instructions de
rahe the ek stage bhi laga hua tha hum chalte hue mom ke paas pohonch gaye

Main:- ye sab kya hai mom?

Mom:- sorry beta par tere dad ka bohat mann tha toh

Main:- its ok mom waise daduncles bade ache lag rahe ho

R/Dad:- bol le beta jsb teri shadi hogi tab pata chalega
R/Mom:- aap kaam me dhayan dijiye

R/Dad:- toh ab tak kya main manjira baja raha tha subah se laga hua hun fir bhi chain nahi
hai isko

R/Mom:- kya kaha?

R/Dad:- maine kya kaha kuch bhi toh nahi hum teeno bas hans rahe the

Mom:- tum teeno kyu dant dikha rahe ho jao ready ho jao VickyRonit aur tere kapde tere
room me rakhe hain aur Anjali beta tumhare kapde mere room me hai jao ready ho jao
hum teeno bhi bas mundi hilakar chal diye change karne chaliye inke change karne tak
dekhte hain Aroras ka kya haal hai

Vaani:- kya hua Rriyu mouh fulakar kyu baithi hai

Priyanka:- aur kya karun ek ghante se lage hue ho ab tak tayar nahi hue

Shanaya:- arre tayar hone me waqt toh lagega naa

Priyanka:- itna time?

Vaani:- chill babes tu ek kaam kar mom dad ko jaakr dekh wo tayar hue ki nahi tab tak
hum bhi ready ho jaate hain

Priyanka:- thek hai jaldi neeche aana par ladkiyan hain late toh hona hi hai kareeb 30
Minute baad Shanaya aur Vaani neeche aaye dono ne western outfit pehna hua tha

V/Mom:- kitna time lagati ho tum dono

Vaani:- oh chillax mom ab toh aa gaye naa

V/Dad:- ye Avni kaha hai

Priyanka:- woww abhi Vaani kuch jawab deti usse pehle hi Priyanka bol uthi sab ne palat
kar dekha toh dekhte hi rah gaye siddhiyon par white ethnic dress me Avantika khadi thi

Priyanka:- wow di u r just killing it aap itni beautiful dikh rahi ho ki angels bhi sharma jayen

Avantika:- bilkul teri tarah ye bolkar Avantika ne Priyanka ke gaal pe ek kiss kar diya
Priyanka ne bhi ethnic wear hi pehna tha par green colour me

V/Mom:- sach beti tu bohat beautiful dikh rahi hai sikho tum dono kuch Avni se (Vaani
Shanaya) dono ke hi mouh utar gaye
Avantika:- oh come on aunty sab ki apni choice hoti hai waise bhi ye dono kisise kam nahi
lag rahe hain

Vaani:- thanks baby mom aap sikho kuch

V/Dad:- ab ladte hi rahoge ki chalen?

Priyanka:- aur nahi toh kya agar thodi der aur ruke toh khali plates dhone jana hoga aisi
hi nok jhonk ke saath aroras nikal pade apne hero ke ghar

Back to hero:

Ronit:- gazabb kasam se yaar kya dikh raha hai tu aaj toh party ki saari ladkiyan flat hone
wali hain

Main:- kam toh tu bhi nahi dikh raha hai chal chalte hain waise bhi hum late ho gaye hain
mom do baar bula chuki hai saare guests aa chuke hain

Anjali:- tum log ready hue ki nahi abhi hum bahar nikalte ki itne me Anjali andar aayi jise
dekh kar Ronit ka mouh khula ka khula reh gaya Anjali lag hi itni sundar rahi thi

Anjali:- kya hua aise kya dekh raha hai

Main:- shabd mere hain par feelings Ronit bhai sahab ki hai jahan ek taraf Ronit hosh me
aaya wahi Anjali blush karne lagi

Anjali:- tu kabhi nahi sudherega ab tera ho gaya toh chalesaare guests aa chuke hain aur
tera intezar ho raha hai aise hi masti karte karte hum nikle niche party ke liye jahan mere
saath kuch naya hone wala tha

Wahi party me:

Satish:- good evening Mr Jairaj Singh

Dad:- good eveniing Mr Satish arora thank you ki aap hamare bulane par aaye meet my
wife Menakshi

Satish:- namaste bhabhiji Satish ne ek sarsari nazar Menakshi ke poore badan par ghumayi
jise Minu bhaamp gayi

Mom:- namaste bhai sahab

Satish:- ye meri family hai meri wife Anukriti meri betiyan Vaani Priyanka aur meri
bhanjiyan Avantika aur Shanaya
Mom/Dad:- namaste bhabhiji hello kids chaliye baiththe hain

Satish:- waise jiske liye ye party rakhi hai aapke sahab zade wo dikh nahi rahe

Dad:- tayar ho raha hai aata hi hoga kafi saare round sofes aur couches lage hue the sab
jaakar baith gaye

Satish:- manana padega shahar ke saare vip's ko bulaya hai aapne media bhi unhi ke liye
aayi hai

Dad:- nahi media toh Vikram ke liye aayi hai

Shanaya:- kyu? birthday toh koi news jaisi cheez nahi hai

Mom:- birthday ke liye nahi Vicky first aaya hai issliye

Satish:- first toh hamari bhanji bhi aayi haiwo bhi puri district me fir bhi media toh nahi
aayi ye baat Satish ne thodi akad se kahi thi jo Jairaj aur Minu bhaamp gaye

Jairaj:- congrats beta waise hamara beta pure India me first aaya hai shayad issliye pure
Aroras including Avantika & Shanaya ka mouh khula ka khula reh gaya

Satish:- waah kya baat hai I must say u are a very lucky mann main kya keh raha tha Jairajji
ki jab tak apka beta aata hai kyu na kuch business ki baatein karlen

Dad:- sure chaliye bacho ko yaha enjoy karne dete hain hum dusri table par chalte hain
dono uthkar dusri table ki taraf chal diye

Mom:- waiter cold drinks serve karo bacho ko beta aap log baithomain aati hun

Shanaya:- no problem aunty oh shit ye kya kar diya tumne dekh ke nahi chal sakte kya

Waiter:- sorry maa'm wo galti se ho gaya

Avni:- sorry my foot kitni expensive dress hai pata bhi hai

Martha aunty:- wo galti se ho gaya hoga aao beti main tumhe wash room le chalti hun
clean kar lo hua yun ki jab waiter drinks serve karne aayaussi waqt ek dusre table se soup
ka order aaya dono waiters jab cross kar rahe the toh drinks wale ka pair mat me fasa aur
wo soup wale se takra gaya soup wala sambhal nahi paya aur soup sidha Avantika ke dress
me giri Avantika Martha aunty ke saath chal padi thek ussi waqt main Anjali aur Ronit ke
saath entry kar raha tha Avantika thek mere saamne se meri taraf hi chali aa rahi thi main
in dono ki taraf dekh kar chal raha tha aur Avantika apni dress ko dekhke chal rahi thi hum
dono hi ek dusre ke kafi karib aa chuke the meri aur Avantika ki nazar saamne jane hi wali
thi ki ek zor ki bijli kadki main aur wo dono hi aasmaan ki taraf dekhte hue ek dusre ko
cross kar gaye

Dj:- ladies and gentleman please welcome man of the moment Vikram Jairaj Singh ek spot
light sidhe mere upar padi sab mujhe hi dekhne lage

Vaani:- woww now thats a hot guy Shanaya toh mouh khole mujhe ghure jaa rahi thi

Priyanka:- mouh band kar lo di makhi ghus jayegi Shanaya ne turant mouh band kar liya
aur thodi embaressed ho gayi mera naam sun Avantika ne palat kar dekhais baar bhi usse
sirf meri back hi dikhi wo andar chali gayi mujhe dekhte hi media wale mere paas aa gaye
par tab tak mom dad bhi mere paas aa chuke the

Dad:- dekhiye pehle cake kat jane dijiye uske baad aap log interview le lijiyega hum sab
lawn ke beech me jama hue jahan ek bada sa cake rakha hua tha cake cutting ceremony
ke baad main Ronit aur Anjali ke saath media walon ke paas chala gaya

Satish:- ek baar aur soch lijiye

Jairaj:- uski zaroorat nahi hai ye mera aakhri faisla hai

Satish:- Jairaji achi khaasi family hai apkikamse kam unka toh khayal kare dad ka dimag
ghuma par unhone aaram se jawab diya

Dad:- family toh apki bhi hai hua ye tha ki Satish aur dad baithkar business ki baat kar rahe
the dad hotels start karna chahte hain jo Satish nahi chahta wo dad ko back out karne ko
keh raha tha

Satish:- hahaha abhi aap mujhe jante nahi Jairaj ji kahi aisa na ho apka faisla apke honhar
bete par bhaari pade ab mera naam jaise hi Satish ne kaha papa ka dimag ghum gaya

Dad:- chillakar apni aukat me raho Satish warna yahi gaad dunga

Satish:- tu mujhe gaadega main chahun toh tujhe aur teri family ko yahi khatam kar sakta
hun namuna dikhaun Satish ke saath do body guards the usne dono ko ishara kiya
dhooppp dhadaamm abhi wo kuch karte usse pehle hi wo zameen par the hua ye ki main
interview de hi raha tha par mujhe dad ki saari baatein sunayi de rahi thi jaise hi Satish ne
apne body guards ko ishara kiya main waha pahunch gaya aur dono ko gale se uthakar
patak diya

Satish:- teri itni himmat tujhe aur tere baap ko ummm aage wo kuch bol nahi paya kyu ki
usse bhi main gala pakad kar utha chuka tha
Main:- apne zuban ko apne halak ke andar rakh agar main rakhne me aa gaya naatoh
jahan se nikalta hai wahi se khana bhi padega uska mouh pura laal ho chuka tha

Mom:- beta chhod usse maine usse neeche fek diya abhi main palta hi tha ki chaataakk
mere gaal par kisine zor ka tamacha maara aur maarne wali thi Miss Avantika hua ye ki
Avantika jab aayi tab maine uske mama ka gala pakda hua tha usse aaya ghussa aur usne
mujhe chipka diya

Avantika:- how dare u tumhari himmat kaise hui mere mama ji ka gala pakadne ki tamiz
naam ki cheez pata hai bhi ki nahi

Main:- agar pata na hota madam toh aapke gaalon par mere ungliyon ke nishan hote
chataakk ghabraiye nahiye tamacha mujhe nahi Avantika ke gaal par pada tha aur maarne
wali thi meri sweet heart Anjali

Anjali:- ye nahi maar sakta toh kya huamain toh maar sakti hun naa dobara agar Vj ke bare
me kuch bola ya haath lagaya naatoh tera ye thobda maar maar ke suja dungi Satish kuch
kar nahi sakta tha ek toh media ki wajah se aur dusra dad ki puri security iss waqt lawn
me aa chuki thi

Main:- apne tashrif ka tokra uthaiye aur nikliye yaha se Satish chup chap apni family ke
saath nikal gaya Avantika palat palat kar mujhe ghusse se ghure jaa rahi thi

Anjali:- ye toh aise dekh rahi hai jaise maar hi dalegi

Main:- mar gaye hume maarne wale

Ronit:- waise thi hot

Main:- hmm par kya fayeda fake attitude

Main:- tum dono ko hua kya hai jab se aaya hun dekh raha hun mouh lakta ke ghum rahe
ho

Anjali:- toh kya naachen kal party ke liye kya kya socha tha tujhe stage par gawayenge tu
guitar bajayega fir last me hum dono tujhe tera gift denge par sab gadbad ho gaya

Main:- hota hai yaar just chill

Ronit:- tujhe kya haiplan toh hamara fail hua hai

Main:- abbe tumhara toh sirf plan fail huameri toh puri party fail ho gayi par ab uske liye
rote hue toh nahi baith sakta naa ab wo sab chhodo aur chup chaap mera gift nikalo
Ronit:- abbe subah jogging ke time kaun gift lekar ghumta hai bhai thodi der baad ayenge
tere ghar tab le liyo

Main:- chalo fir waise bhi aaj late ho gaya hai ghar chalte hain hum apne apne ghar nikal
gaye

Main:- good morning mom good morning dad

Dono:- good morning beta jab main ghar pahuncha toh mom dad dono hi bahar lawn me
baithe mile

Dad:- exercise ho gayi?

Main:- ya dad par lagta hai aaj aap ne gym nahi ki aur mom naahi aapne yoga right ek

Dono:- haan beta aaj mann nahi tha

Main:- oh come on mom/dad just let it be naa jo hua usse bhul jao kal raat ko party ke
baad se hi mom dad ka mood kafi off tha maine bhi ab tak dono se iss bare me baat nahi
ki thi par kab tak aise hi chalta issliye maine topic chhed di

Dad:- sorry beta kal tumhara birthday tha hum sab kitne excited the par sab kharab ho
gaya

Main:- this iss not done dad agar aap koi galti kare bhi naa toh bhi mujhse maafi maange
ki zaroorat nahi hai I’m your son birthdayresultskuch bhi aap dono se zyada important
nahi hai

Mom:- fir bhi beta dukh toh hota hi hai naa

Main:- koi dukh nahi hota par haanmere paas kuch hai jise aap dono ka mood ek second
me thek ho jayega

Mom:- acha wo kya?

Main:- wait kijiye main abhi aaya main apne room me gaya aur jab aaya toh mere haath
me kuch tha

Main:- aap dono apna haath aage kijiye

Mom:- tu aur tere surprises dono ne apne haath aage kar diye jiske upar maine ek folded
paper rakh diya

Dad:- ye kya hai?


Main:- khol kar dekh lijiye dad ne paper unfold kiya aur andar jo likha tha usse padhkar
dono shocked ho gaye

Main:- meri pehli kamayi aap dono ke liye

Mom:- itne rupaye ka cheque tujhe kaha se mila?

Main:- first aane ki wajah se mujhe 25 lakhs ki scholarship mili hai

Dad/Mom:- what this iss such a big news aur tu hame ab bata raha hai

Main:- kal party ke baad batane wala tha par time hi nahi mila aur acha hi hua naa jo abhi
bataya dekha maine kaha tha na ki aapka mood thek ho jayega

Dono:- really beta we are very proud of u

Dad:- par itne rupaye ka hum kya karenge

Main:- really dad aap India ek top three business tycoons me se ek ho aur sirf 25 lakhs ke
investment ko zyada bol rahe ho

Dad:- beta ye 25 lakhs mere arbon ki daulat se zyada important hai kyu ki ye paise mera
beta mujhe de raha hai

Main:- oh dad no emotional talks please

Dad:- thek hai par bata toh in paison ka kya karna hai?

Main:- main kya bataun haan ek kaam kijiye mom ke naam pe jo NGO hai naa usme de
dijiye jise chote bache jo padhayi efford nahi kar paate wo in paiso ki madad se padh
payenge meri baat sun kar dad ki chaati choudi ho gayi aur mom ke aankhon me aansu
aa gaye

Mom:- beta humara sabse bada investment aur profit toh tu hai thek hai ye paise NGO
me hi jayenge

Main:- thanks mom acha ab main chala fresh hone

Wahi dusri taraf:

Satish:- Lakhan uspe nazar rakh mujhe uski pal pal ki khabar chahiye

Lakhan:- maalik aap kahe toh usse aur uske biwi bache ko khatam kar dun (Lakhan: Satish
ka sabse khatarnaak aadmi height 6.5 dikhta bhi pura jaanwar hai Satish ke liye kuch bhi
kar sakta hai)
Satish:- nahi Lakhan wo koi chota mota aadmi nahi hai uski pahunch central ministry tak
hai upar se hamara jhagda media ke saamne hua hai abhi uspar humla kiya toh ham fas
jayenge tu bas uspar nazar rakh baaki ka main dekhta hun

Lakhan:- thek hai maalik

Satish:- Jairajteri zindagi ki ulti ginti chalu

Back to Menakshi Mansion:

Dad:- waise ek baat bata tere andar itni taakat kaha se aayi tune 2-2 logon ko ek haath se
hi utha liya tha

Main:- training dad

Mom:- maanna padega Guru ji aisa bhi kuch sikhayenge tujheye socha nahi tha

Dad:- haan bhai itni energy good morning uncle good morning aunty abhi main kuch kehta
usse pehle Anjali aur Ronit aa gaye

Mom/Dad:- good morning bachon

Mom:- nashta karoge?

Anjali:- nahi aunty main toh kar ke hi aayi hun iss bhukkad se puch lo

Ronit:- chupre aunty maine bhi kar li hai

Main:- wo sab chhodo pehle mera gift nikalo

Anjali:- abbe gift maang raha hai ya hafta

Main:- wo tu jo samjh par nikal

Ronit:- dete hain dete hain fir dono bahar gaye aur jab laute toh main khush ho gaya

Ronit:- ye le

Main:- thanks yaar main ye lene hi wala tha

Ronit:- mujhe pata hai issliye maine le li Ronit mere liye latest electronic guitar laya tha

Anjali:- aur ye rahi meri gift

Main:- arre tu toh meri angel hai yaar

Ronit:- kya khaakh angel hai books bhi koi gift me deta hai kya
Main:- abbe saale ye books mere dream collections mese hain main 6 mahine se inhe
dhund raha tha (actually mujhe ancient world pe chhapi kitaben bohat pasand hai aur
mere paas unka ek collection bhi hai jinme teen kitaben kam thi ye bohat rare books thi
maine bohat try kiya par mujhe mil hi nahi rahin thi Anjali wahi teeno books laayi thi )

Anjali:- rehne de Vj bandar kya jane adrak ka swad abhi Ronit kuch kehta usse pehle mom
bol uthi tum teeno baad me jhagadna pehle tum teeno ke liye hamari taraf se bhi gifts
hain pehle wo dekh lo

Teeno:- gifts kaun se gifts kaha hain? pehle kyu nahi bataya

Dad:- arre chup ho jao teeno aur bahar chalo hum teeno mom dad ke peeche peeche
bahar chal diye

Dad:- ab apni aankhen band karo Anjali tum khuli rakh sakti ho

Main:- kyu ye kyu aankh band nahi kar rahi hai

Mom:- chup chap aankh band karta hai ya gift cancel karun maine aur Ronit ne bhi mouh
banake ankhen band kar li hamare staff se do log kuch laye aur hamare saamne rakh gaye
main chahta toh apne senses se sab dekh sakta tha par usme kya maza

Dad:- ab apni aankhen kholo jaise hi maine aur Ronit ne apni aankhen kholi hamari
aankhen fati ki fati reh gayi ham dono ki dream bike same thi aur iss waqt hamare
aankhon ke saamne wahi khadi thi Ducati 1199

Main:- oh my God aap dono ko kaise pata chala ki ye hum dono ki fav hai

Mom:- arre tere aur Ronit dono ke hi kamro me toh issi ki photos lagi hui hain happy?

Main:- oh mom dad I can't tell you how happy I am main dono ke gale lag gaya

Ronit:- hat be tu aur saala mujhe hata ke khud mom dad ke gale lag gaya thodi excitement
kam hui toh humne Anjali ki taraf dekha jo mouh phula kar khadi thi

Main:- ab tujhe kya hua?

Mom:- arre bacha tera chehra kyu fula hua hai naraz hai kya?

Anjali:- aur nahi toh kya inke liye bike aur mere liye kuch nahi

Dad:- arre beta tu aisa kaise soch sakti hai ek baar in dono ke liye kuch nahi aayega par
tere liye kuch na aaye aisa ho hi nahi sakta
Anjali:- really mere liya kya liya hai?

Mom:- jo liya hai usse yaha nahi laya ja sakta ek kaam kar tu upar second floor pe jo guest
room hai naa waha jaake dekh Anjali ne mera aur Ronit ka haath pakda aur kheechti hui
upar le gayi hamare peeche peeche mom dad bhi aa gaye humne room jaise hi khola hum
sabhi ke mouh khule reh gaye

Ronit:- oh beta kya pura show room hi kharid liya?

Main:- abbe ye ek show room me fit nahi hoga ye do show room ka saman hai

Mom:- pasand aaya Anjali jhat se mom ke gale lag gayi fir dad ke thanks uncle thanks
aunty actually pura kamra jo ki kisi bade show room se kam nahi tha pura branded girls
clothing se bhara hua tha

Mom:- marungi ek thappad tu beti hai hamari hame thanks bolegi

Anjali:- ye toh 23 saal ki shopping ek saath ho gayi

Main:- 23 saal arre ye toh 23 janam ke kapde hain

Anjali:- very funny

Dad:- beta aap log chalo main ye kapde tumhare ghar bhijwa dunga hum neeche hall me
aa gaye

Mom:- abhi mera gift baaki hai

Hum teeno:- aur kya gift itna kuch to de diya ab kya bacha

Mom:- bilkul bacha hai ab tumhare 10th khatam hue issliye ab tum ye rakh sakte ho mom
ke haath me ek choti bag thi humne usse khola toh hamari khushi ka thekana nahi raha
bag me hum teeno ke liye latest iphones the

Mom:- toh firthode din hi vacations bache hain kuch plan kiya hai

Mom:- kaha mom kyu na India me hi kahi chalen abhi mom kuch kehti ki

Dad:- mushkil hai yaar

Mom:- kyu kya hua?

Dad:- arre wo London ki ek company hai unse ek bada contract mila hai diamonds
manufacturing ka mujhe Aakash aur teeno ko uske liye jana padega aur waha ek
showroom bhi kholna hai pata nahi kitna waqt lage ek kaam karo bacho tum teeno kahi
ho aao maine dono ki taraf dekha

Ronit:- no uncle hum toh hamesha puri family ke saath hi jaate hai akele nahi jayenge

Mom:- par beta

Anjali:- no par war aunty next holidays me chale jayenge

Dad:- done ab yahi rahoge kya din bhar nayi bikes mili hai bike ride pe jao

Main:- ok dad chalo yaaro dhoom machayennn bye mom bye dad

Dono:- bye uncle bye aunty

Mom:- aaram se chalana par ab sunta kaun hai mera fav red tha aur Ronit ka white hum
nikal pade bike ride par aise hi pure vacations hum teeno ghumte firte bitane lage

Wahi dusri taraf

Avantika:- may we come in sir

Principal:- yes come in Avantika aur uski saari behane aur Vaani ke dono friends iss waqt
St Joseph me admission karwane aaye hue the par jaise hi Avantika ne Principal cabin ke
andar kadam rakha uska dimag ghoom gaya uska kya Shanaya aur Vaani ki bhi same haalat
thi Principal sir ke peeche deewar par Vikram ke 3 bade bade photos lage hue the trophies
ke saath aur beech ki photo ke neeche bade bade letters me the brightest student of India
likha hua tha Avantika ko Vikram ka chehra dekh bohat ghussa aaya party se aane ke baad
se hi wo Vikram ke bare me bohat bura bhala keh rahi thi thoda reverse maarte hain aaj
subah

Shanaya:- dekh babes main ab bhi bol rahi hun kisi dusre school me admission le lete hain
St Joseph me toh Vikram ka hi bol bala tha

Avantika:- nahihum wahi padhenge main uss Vikram ko uski aukaad dikha kar rahungi

Vaani:- bilkul babes badla toh mujhe bhi lena hai mere dad ki beizatti ka usse hum wahi
padhenge aur mere dost bhi hai fikar not uski toh hum haalat kharab kar denge (wo kehte
hain naa vinash kaa laye viparit bhuddhi)

Back to Present:

Principal:- aap me se Avantika aur Shanaya kaun hai?


Avni/Shanaya:- hum hain sir

Principal:- aap dono ke results kafi ache hain aur saath me aap dono hi kuch curricular
activities me bhi aage hain aur st joseph talented bacho ki kafi kadar karta hai yaha aapko
apna talent aur nikharne ke kafi mouke milenge

Principal:- aur aap teeno aapka admission merit par nahi request se ho raha hai aap teeno
is baat ka khayal rakhenge ki aap complete discipline me rahen all right?

Teeno:- yes sir

Principal:- good school 16th of June se start ho rahi hai you may go now

Sabhi:- thank you sir bahar aake

Vaani:- discipline my foot dekhna yaha toh hum raaj kare ge

Shekhar:- bilkul kya naam tha uss bande ka

Vaani:- Vikram

Shekhar:- haan Vikram uski toh aisi bajaunga ki zindagi bhar yaad rakhega (Shekhar
Jaiswal son of Gajendra Jaiswal Mla hai apne baap ke dum par bohat uchakta hai)

Nima:- wo janta nahi usne kisse panga liya hai (Nima Chamwani daughter of Ashish
Chanwani transport king hai ye ladki ko apni khubsoorti aur paiso ka bada guroor hai)

Shanaya:- aur uski wo so called friend usko toh main nahi chhodungi

Avantika:- main nahi hum nahi chhodenge

Wahi dusri taraf :

Aakash:- hello haan guptaji (pa of Aakash) arre kab par wo meeting toh agle mahine thi
naa kya guptaji aapne haan kyu keh diya yaha ka kaam abhi pura nahi hua hai chaliye
dekhta hun main Jairaj Aakash aur Harpreet ko London gaye ek hafta ho chuka tha

Jairaj:- kya hua?

Aakash:- arre yaar wo Delhi se ek party agle mahine aane wali thi wo parso aa rahi hai
saala order bhi bada hai aur yaha ka kaam bhi nahi hua hai ab kya kare

Harpreet:- tu chale ja naa hum dono yaha ka dekh lenge

Aakash:- wahi toh main problem hai contract me hum dono ke signature zaroori hain
Jairaj:- toh tum dono chale jao yaha ki tension mat lo sirf ek hafte ka kaam aur bacha hai
main dekh lunga

Aakash:- arre tu akele kaise manage karega

Jairaj:- sab ho jayega tu tension na le aur ab koi behes nahi ek kaam karo tum log abhi hi
nikal jao main pilot ko phone kar deta hun (hamare paas do charter planes hain dad aur
uncle ussi me London gaye hain) Aakash aur Harpreet dono hi ghar ke liye nikal gaye par
dad ko nahi malum tha ki uncles ke jaate hi ek kaand ho jayega

Back to hero:

Ronit:- ek hafta aur then back to school saala ye tabiyat ko bhi abhi kharab hona tha Ronit
ki tabiyat do din se kharab thi jab bhi uski tabiyat bigadti hai wo mere ghar shift ho jata
hai ye uski bachpan ki aadat hai

Anjali:- toh rota kyu hai school khulne tak theek ho jayega

Main:- haan yaar tension na le nahiii ek zor ki awaaz mom ke room se aayi hum teeno
bhagte hue room me gaye toh dekha ki mom niche farsh par behosh padi hai

Main:- momm Ronit paani laa maine mom ka sar apni godh me le liya Anjali toh bas roye
jaa rahi thi yaha mere aankhen bhi bhar gayi sirf issliye nahi ki mom behosh hui thi issliye
kyu ki mujhe unki behoshi ki wajah pata chal chuki thi

Anjali:- main Dr ko call karti hun uski zaroorat nahi hai mom ko hosh aa gaya hai hua ye ki
maine ek haath se jo mom ke sir ke niche tha mom ko hosh me lane ke liye rays chhode
jo mom ke sar me sama gaye jise mom ko hosh aa gaya mom uthte hi rone lagi

Main:- mom please chup ho jayiye

Anjali:- aunty hua kya hai

Mom:- beta tere uncle ka accident ho gaya hai unki condition thek nahi hai

Main:- mom dad ko kuch nahi hoga

Mom:- sach me beta

Main:- promise main pilot uncle ko call kar deta hun hum abhi nikalte hain Anjali tum
sabko khabar kar do aadhe ghante me sab hamare ghar me the aur hum airport ke nikal
gaye Ronit aur Anjali ko mom aur aunties ne jane se mana kar diya kyu ki Ronit ki tabiyat
sahi nahi thi aur Anjali ko uska khayal rakhne ke liye bola gaya dono iss baat par bohat
naraz hue par hum already late ho rahe the issliye zyada kuch bol nahi paye

Ronit:- thek hai jao par agar mere thek hote tak uncle thek nahi hue toh hum aa jayenge

Sab:- ok done aur hum sab nikal gaye London ke liye

In London:

Main:- excuse me which room iss Jairaj Singh in

Receptionist:- and u are?

Main:- I am his son

Receptionist:- ok he iss in emergency ward no 307 on third floor

Main:- thanks hum sab bhagte hue lift me ghus gaye iss waqt London me sham ke 7 baj
rahe the hume pahunchne me kuch 17 ghante lage the iss beech mom ke ek Minute ke
liye bhi aansu nahi ruke the jab hum dad ke room me pahunche toh dad behosh the puri
body me machines lagi hui thi naak se ek pipe ventelator me gaya hua tha jiske sahare
dad saans le rahe the dad ki ye haalat dekhkar mom ke aansu tez ho gaye

Main:- Dr how's my father?

Dr:- can't say anything now next 24 hours are very critical for him if he survives in this 24
hours than only there's some hope

Main:- he will Dr he's a fighter can I stay here

Dr:- one at a time pehle mom kuch der dad ke paas ruki wo bas roye hi jaa rahi thi

Main:- mom aap bahar jao aise me aapki tabiyat bigad jayegi

Mom:- nahi mujhe kahi nahi jana

Main:- dad ko jab hosh aayega aur apko iss halat me dekhenge toh unki tabiyat aur bigad
jayegi

Mom:- nahi nahi inhe kuch nahi hoga main fresh hokar aati hun tu inke paas baith

Main:- ok mom mom ke jane ke baad maine saare parde thek kiye aur dad ke paas baith
gaya maine apna right hand dad ke sir par rakhahealing rays nikalkar dad ke andar chali
gayi
Main:- Drrrrr main zor se chillaya Dr nurse aur meri puri family doudte hue andar aaye
aur jo dekha usse dekh kar shock ho gaye

Dr:- this is imposible dad ki aankhen khuli hui thi

Dr:- nurse take out the ventilator pipe nurse turant apne kaam me lag gayi kuch hi der me
jitne bhi machines lage the dad pe wo sab hata diye gaye Dr ne dad ka check up kiya toh
stabdh reh gaye

Dr:- in my whole carrier this is the first time I have seen such miracle a few minutes back
it seemed no hope for u and now all ur body parts are perfectly in working order

Main:- I told u Dr my dad iss a fighter

Dr:- I dont know about that but he definately iss one hell of a lucky mann Dr chale gaye
mom kafi der tak dad ke gale lag kar roti rahi

Main:- mom dad ab thek hai baakiyon ko bhi milne dijiye uske baad sabhi dad se mile raat
ko main hospital me hi ruk gaya maine Ronit aur Anjali ko call karke dad ke bare me bata
diya tha aise hi din beetne lage aur sirf 10 din me hi dad pure thek ho gaye joki sabhi ke
liye wakayi shocking baat thi khud dad ke liye bhi Dr toh pagal hi ho gaya tha dad ki
recovery ka logic dhundte dhundte ab usse kaun samjhaye jahan science ka logic khatam
hota hai wahi magic shuru hota hai 11th day hum apne plane me the aaj sabhi ki khushi
dekhte hi banti thi khaas kar ke mom ki pichle 10 dino me maine mom ko dad se ek min
ke liye bhi alag hote nahi dekha shaam ke 3 baje hum Mumbai me land hue

Main:- mom dad main Ronit aur Anjali se milkar aata hun ghar pahunchte hi maine bola

Kavita aunty:- hamare saath hi chal

Main:- nopes aap aate rehna main chala

Kavita:- arre sun toh par main kaha sunene wala tha apni bike uthayi aur nikal pada Ronit
ke ghar itne dino ke baad apne besties se milne ka maza hi kuch aur tha main pure
excitement ke saath Ronit ke ghar pahuncha jahan ek aur surprise ya yun kahu shock mera
intezar kar raha tha

Ronit:- arre bhai tu aa gaya Ronit ko dekhkar mera dimag ghum gaya uske right hand me
plaster chadha hua tha sir pe bhi patti bandhi thi maine uski aankhon me dekha aur jo
dikha usse mere jabde sakt hote chale gaye aankhen laal ho gayi

Main:- (mann main) Vaani Shanaya Shekhar Nima Avantikaa tayar raho Vj aa raha hai
R/Mom:- mera bacha kaise hua ye sab aur tune phone karke bataya bhi nahi Kavita aunty
lagatar roye hi jaa rahi thi iss waqt Ronit ke ghar par sabhi moujud the aunty uncle jab
ghar pahunche toh Ronit ki haalat dekh kar sakte me aa gaye maine bhi mom ko call karke
bata diya mom dad Anjali aur uske parents ke saath pauhunch gayi

Ronit:- mom main theek hun ek chota sa accident ho gaya tha please aap rona band karo

R/Dad:- chup kar teri bike ki haalat dekhkar hi pata chal raha hai kitna bada accident hua
hoga aur tu chota sa accident bol raha hai wo toh acha hai ki Anjali tere saath nahi thi
Anjali bas chup chaap sir jhukayee khadi thi

R/Mom:- aaj se tera bike me ghumna cancel

Dad:- bhabhi iss umar me ye hota hai agar iske exams me kam marks aayenge toh kya
padhai rukwa doge Ronit aayinda se gaadi dheere chalana

Ronit:- thanks uncle pakka mom ab aisa kuch bhi nahi hoga please mujhe maaf kar do

Mom:- acha chalo isse rest karne do hum neeche chalte hai yaha main ek baat bata dun
ki mere Ronit ke aur Anjali ke ghar ka design same hai sab uthkar neeche chale gaye

Main:- tu waha kyu khadi hai idhar aa Anjali chup chaap mere paas aa gayi abhi main kuch
kehne hi wala tha ki dad aur dono uncles andar aaye

Dad:- Ronit koi jhoot nahikitne ladke the Ronit main aur Anjali dad ke sawal se shocked
ho gaye

R/Dad:- beta hum tum logon ke baap hain toh bina naatak kiye jo puchen uska sidha sa
jawab de

Ronit:- 10

R/Dad:- kaha pe hua ye sab? aur tu akela tha

Ronit:- school se thodi aage wo area khali hi rehta hai Anjali bhi saath thi

Akash:- Anju tumhare saath unhone kuch kiya sach batana Anjali apne dad ki kadak awaaz
sunkar dar gayi

Anjali:- ladko ne toh nahi par kuch ladkiyan bhi thi unhone

Dad:- unhone kya


Anjali:- unhone thappad maare Anjali ke dad se zyada toh mere dad ka dimag ghum gaya
unhone Anjali ko sagi beti se bhi zyada pyar kiya hai uski ek kharoch bhi bardasht nahi kar
paate the mere dad jab zyada ghussa hote the tab ekdum chup ho jaate the abhi bhi wahi
hua tha

Dad:- chalo teeno jane ke liye palat gaye

Main:- ek second dad uncles teeno ruk gaye

Main:- ye problem main handle karunga uncles kuch kehne wale the par dad ne rok liya

Dad:- itna yaad rakhna ki dobara koi bhi mere dono bacho ke aas paas aane se bhi dare

Main:- I promise

Dad:- chalo bahar jaakar

Harpreet:- hum handle kar lete naa

Akash:- aur nahi toh kya bache padhai kare ge ki ye sab me uljhenge

Dad:- unhe apne problem se khud ladhna sikhna hoga aur waise bhi maine Vicky ki
aankhon me ek aag dekhi hai wo sab theek kar dega

Idhar room me:

Main:- agli baar main kitni bhi serious condition me kyu naa rahunagar tum dono me se
kisi par bhi koi taklif aayi aur tum logon ne mujhe nahi bataya toh main life me tum dono
se baat nahi karunga

Anjali:- aise mat bol yaar

Ronit:- bhai jab wo mujhe maar rahe thetab maine un logon ko bola bhi ki ek baar tu
aajaye mujhe aur Anjali ko maarna unko bohat bhaari padega

Main:- chal koi nahi bas kal tak wait karo unka hissab ho jayega

Ronit:- arre kal nahi yaar mujhe thek toh ho jane de mujhe un logon ki haalat kharab hote
hue dekhna hai

Main:- tu kal tak thek ho jayega

Ronit:- pagal hai kya haath fracture hua hai Dr ne ek mahine ka bed rest bola hai
Main:- tu bhul raha hai beta ki Vj jo bolta hai wo ho jata hai jis wajah se tu mujhse naraz
hua tha wahi wajah tujhe thek bhi karegi

Ronit:- matlab

Main:- tum dono rukomain aata hun main dono ko pareshan chhod bahar balcony me aa
gaya aas paas dekhajab pakka ho gaya ki koi nahi hai toh maine apna haath aage kiya ek
tez roshni mere hatheli ke upar chamki jab roshni ghati toh mere haathon me ek katori
jitna bada matka tha jisme green liquid tha ye wahi tonic tha jo Guru ji ne mujhe apne
training ke pehle raat diya tha isse peete hi thakanchotmit jati hai aur haddiyan bhi jud
jati hai main wapas room me chala gaya

Main:- ye le aur pee jaa

Ronit:- ye kya hai?

Main:- saale zeher hai kya karega bina sawal kiye nahi pee sakta kya?

Ronit:- peeta hun naa chillata kyu hai? par jaise hi Ronit ne wo green juice ka pehla sip
liya toh usse bahar fek diya

Ronit:- yaak kitna kadwa hai main nahi peeta

Main:- saale orange juice chahiye tujhe chup chaap pee jaa nakhra dikhaya naa toh dusra
haath bhi tod dunga

Anjali:- par ye hai kya?

Main:- sab pata chal jayega chal be pee chup chap Ronit ne apni naak band ki aur ek jhatke
me pee gaya

Ronit:- yaak chiuu koi shakkar lao choclate lao ice cream lao mere mouh ka taste kharab
ho gaya

Main:- kuch nahi milega tujhe 10 Minute wait kar

Ronit:- saale tu mera dost nahi hai aur 10 min me kya ho jayega?

Main:- wo 10 min me pata chal jayega 10 min hum aise hi time paas karte rahe after 10
min:

Main Ronit ki sir ki aur haath ki patti hatane laga

Anjali:- abbe pagal ho gaya hai kya


Ronit:- tu kar kya raha hai par main apne kaam me laga raha maine uski dono patti nikal
di Anjali ka toh mouh hi khul gaya

Ronit:- ab tu kyu mouh khole khadi hai aur tu saaale ek min mera haath ye kaise thek ho
gaya abbe dekh mera haath thek ho gaya Anjalidekh mera fracture thek ho gaya yahooo
aur kameena naachne laga Ronit itni zor se chillaya ki neeche baithe sab lag upar aa gaye

R/Mom:- kya hua kyu chillaya aurr aage aunty kuch bol naa payinaur aankhen phaade
Ronit ko dekhne lagi yahi haal baaki sab ka bhi tha

Main:- arre ho kya gaya hai aap sab ko

Mom:- ye Ronit ka haath kaise thek ho gaya aur uske sir ka chotwo bhi kaise thek ho gaya
Ronit ko ab tak apne sar ke chot ka khayal nahi tha mom ki baat sun usne apne sar pe
haath lagaya toh fir chonk gaya

Ronit:- haan yaar ye bhi thek ho gaya

Dad:- koi batayega ye sab kaise hua? Anjali aur Ronit ne meri taraf ungli dikha di sab mujhe
shocked hokar dekhne lage ab kuch toh batana tha hi

Main:- mom dad meri training yaad hai naa usme mujhe bone aur health theek karne ke
nuskhe bhi sikhaye gaye the ek tonic hai jise bones turant jud jaate hain Ronit ko wahi
pilaya hai maine dad ko bhi maine wahi pilaya tha uss din tabhi wo turant recover ho gaye
the (jhoot) sabhi bohat shocked hue meri baat sunke

A/Dad:- kaisi traing aur tune kab leli mom dad ne fir sabko jitna unhe pata tha wo bata
diya mom aakar mere gale lag gayi

Mom:- tere dad ko tune thek kiya aur ab tak bataya bhi nahi agar Ronit thek nahi hota toh
hume pata bhi nahi chalta

R/Mom:- thanks beta

Main:- thanks kis baat ki mera bhai hai aunty main nahi karunga toh kaun karega sabhi ne
mujhe blessings di aur neeche chale gaye

Anjali:- ab toh bata kaha gaya thaaur kya kya sikha hai

Ronit:- tu fir na bhadak jaye issliye main nahi puch raha tha par ab toh batana hi padega
maine dono ko kachi pakki baat milake bata di Guru ji ke bare me utni hi batayi jitna wo
hazam kar sakte the
Ronit:- saale hume bolta toh hum bhi jaate naa akele sikh ke aa gaya waise kya kya sikha

Main:- zyada kuch nahi yaar ek toh kuch medicines ke bare me aur kuch fighting
techniques

Anjali:- wow tu toh waise bhi acha ladhta hai uss din school me dekha humne uske upar
aur sikh gaya

Ronit:- haan ab aayega maza un saalon ko itna pelenge ki zindagi bhar hamare naam se
phategi aur agar hum maar bhi khaa gaye toh kya tension teri dawai se turant theek ho
jayenge

Main:- saala noutanki

Ronit:- chalo na yaar kahi ghum kar aate hain jab se tu gaya haihum bhi kahi nahi gaye aur
upar se saala haath toot gaya ghar hi me band tha itne dino se

Main:- chalo fir hum ne ghar walon se permission li aur nikal pade ghumne din bhar
ghumte rahe raat ko thoda late ghar aaye ghar walon se daant khayi ek kaan se suni dusre
se nikal di aur jaakar so gaye

Wahi dusri taraf:

Shaam ka waqt hai Avantika & group Juhu ke ek cafe me baithe hue hain

Shekhar:- Avni Shanaya school me har taraf tum dono ka naam hi gunj raha hai not bad
haan

Vaani:- aakhir sisters kiski hain

Nima:- aur wo dono toh uss din ke baad school hi nahi aaye

Shekhar:- kis mouh se aate aisi haalat ki thi humne uss din dono kiabhi bhi sharam se apne
gharon me chupe baithe honge

Avantika:- haan par hume alert rehna padega wo Vikram kabhi bhi aa sakta hai aur wo
badla zaroor lega

Shekhar:- ghanta lega uski bhi wahi haalat kare ge jo uske dost ki ki thi

Nima:- maine suna hai ki uske baap ka koi accident hua hai aur sabhi London gaye hue
hain
Shekhar:- wahi rahe toh hi thek hai wapas aaya toh uske baap jaisi hi haalat kar denge
uski

Shanaya:- jo bhi karna school ke bahar hi karna school ke andar usse haath lagana ya
comment karne ka matlab hai sidhe resticate hona

Shekhar:- aisa kuch nahi hoga

Vaani:- nahi yaar ye sach hai maine suna hai 9th me ek ladke ne Vikram se chidh kar usse
ulta sidha bol diya tha toh Princi ne bina uski explanation sune suspend kar diya tha

Avantika:- school me usse koi behes nahi karega agar wo bhi kuch bol de toh chup rahenge
school ke bahar niptenge usse

Nima:- aur agar usne Princi ko kuch bataya toh

Avantika:- nahi batayega bohat attitude hai usme kuch der aur chit chat kar sabhi ghar
nikal jaate hain

Next day:

Ronit:- thank you uncle hum breakfast karke uthe hi the ki Ronit aur Anjali aa gaye Ronit
toh sidhe dad ke gale lag thanks kehne laga

Dad:- oye khote tu bhi mera beta hai isme thanks ki kaunsi baat hai

Anjali:- aur main

Mom:- tu toh hamari princess hai

Main:- koi mujhe bhi batyega ki ye gadha thanks kyu bol raha hai

Ronit:- tu gadha aur batunga nahi dikhaunga chal bahar hum sab jab bahar aaye toh main
wakayi surprised reh gaya saame ek brand new white Ducati 1199 khadi thi

Main:- ye tune kab li kal din bhar toh hamare saath tha

Ronit:- uncle ne mangwa di

Dad:- aur nahi toh kya mera beta kya repaired bike chalata Ronit ek baar fir dad ke gale
lag gaya

Main:- waah yaar maza aa gaya par abhi chalna chahiyehum already late ho chuke hain
mom dad ko bye bol hum nikal gaye school
In School:

Main:- may I come in mam hume school pahunchte pahunchte thodi der ho hi gayi thi
assembly khatam ho chuki thi par meri wajah se Princi ya teachers ne kuch nahi bola

Kritika maam (claas teacher):- oh Vikram come in tum toh kafi panctual ho kaise late ho
gaye

Main:- sorry maam it wont happen again

Maam:- its ok mujhe tumhare dad ke bare me pata hai I’m really sorry for what happened
waise saamne toh sab seats full hai aaj aap teeno ko peeche baithna padega par usse
pehleclass jo naye hain unhe bata dun the boy standing infront of you his name iss Vikram
Jairaj Singh he hans topped India's icse ranki ng this year so a big round of applauds for
Vikram pura class taliyon se gunj utha saamne ki seats par Avantika aur Shanaya baithi
hui thi uske peeche Vaani aur Shekhar ye saale toh aise taali baja rahe the jaise koi machar
unke dono haathon ke beech me ho aur wo zor zor se usse maarna chahte ho

Main:- thanks every body maine charon ko completely ignore kiya tha par bina dekhe bhi
toh mujhe dikhta toh sab kuch hi tha par Ronit aur Anjali full too charo ko ghurte hue
mere peeche peeche chal diye

Maam:- so students mere khayal se aap logon ne aaj ke test ka prep kar liya hoga I Ronit
ka chehra toh test ka naam sunte hi utar gaya tha

Maam:- Vikram Ronit Anjali aap teeno kuch dino se absent the issliye aap teeno iss test
ka hissa nahi honge

Ronit:- haash bach gaye mujhe toh laga tha aaj lag gaye hamare par jahan sab kuch aaram
se ho jaye wo hamari life toh ho nahi sakti aur ab toh hamare kuch dushman hamare
saamne hi the

Avantika:- maam aap toh keh rahe the ki Vikram India topper hai usse answer pata hone
ke liye school aane ki kya zaroorat hai test toh usse bhi dena chahiye

Maam:- beta wo 10th topper hai aur abhi hum 11th me hain

Shanaya:- par maam clapping bhi toh 11th me hi hui naa jab appriciation le sakta hai toh
test bhi de hi sakta hai main bas ye sab sunke muskura raha tha

Ronit:- ye ladkiyan teri lagane par tuli huin hain aur tu muskura raha hai
Maam:- par

Main:- its ok mam main bhi test dunga

Avantika:- maine kaha tha na bohat aatitude hai ab aayega maza claases toh aaya nahi
hai answers de nahi payega aur fir hogi iski insult charo apas me baat kar hans rahe the
main yaha baitha unki saari baatein sunkar bas muskura raha tha

Maam:- ok test oral hai jise bhi answers pata ho apne haath uthaye aur ek baat question
dhayan se sune

first question:- who's the actual father of economics? Avantika ne haath uthaye

Maam:- yes Avantika

Avantika:- Adam Smith ye bolkar usne meri taraf dekha jaise mera mazak uda rahi ho par
tabhi maine haath upar kiye

Maam:- yes Vikram do you have a different answer

Main:- most people would say that Adam Smith was the father of economics but there
were others who came before him one of those people was Richard Cantillon born in 1680
died on 14th may 1734 he was an Irish banker and a merchant who was the author of the
book Essay on Economic Theory

Maam:- absolutly right Vikram Avantika ka chehra dekhne layak tha same condition baaki
teeon ki bhi thi

Maam:- ok next question now this a tough one what iss meant by the terms price elasticity
cross price elasticity and income elasticity? maine haath upar kiye

Maam:- surprise hokar yes Vikram wahi ye charo bhi mujhe dekhne lage

Main:- each of these iss an economic term related to the relationship between price &
demand price elasticity iss the simplest it basically refers to the amount that demands for
a good or where service requires mere jawab se charo ke mouh khule ke khule reh gaye

Maam:- amazing Vikram ye first time hai jab main tumhe padhaungi par maine itna suna
hai tumhare bare me ki kabhi kabhi lagta tha ki kuch zyada hi taarif karte hai tumhari
teachers but now I have seen by myself bina claas atend kiye tumhe itna knowledge
haiclass attend karne ke baad kitna hoga u totally deserve the position u came last year
Main:- thanks maam idhar mere dono dost khush ho rahe the wahi un charo ke mouh
sukh gaye aise hi teachers aate rahe aur classes chalti rahi hamare school me do intervals
hote the dono hi intervals me wo charon hame ghure jaa rahe the par hum apne me hi
lage hue the itne dino me un logon ne kuch popularity gain kar li thi par mere aane ke
baad koi unhe puch hi nahi raha tha

Shekhar:- ye saala kuch zyada hi ud raha hai aaj iska full & final kar hi deta hun

Nima:- par kitna hot hai yaar

Vaani:- hot my foot Shekhar ne phone nikala school me phone allowed nahi tha par kuch
students chupa ke laate the

Shekhar:- haan tayar rehna hum logon ke pahunchte tak bas inhe ghere rakhna iss saale
ko toh main apne haathon se dhounga chal rakhta hun beta Vikram tu toh gaya idhar
maine Shekhar ki saari baat sun li thi aur dusre kaan se nikal bhi di thi chutti me jab hum
bike stand pahunche toh waha kafi bheed thi humne paas jaakar dekha toh kuch ladke jo
phones laate hain hamari bike ke saath photos khichwa rahe the aur baaki sab bas bikes
check out kar rahe the

Ronit:- abbe hato re ghus jaoge kya? hume dekh sab hat gaye hum bike par baithe nikal
gaye

Wahi dusri taraf:

Chamcha 1:- school ki last bell baj gayi hai wo aate hi honge tayar raho sab (ye sab Shekhar
ke chamche hain issliye inka intro nahi hoga )

Chamcha 2:- wo dekho bhai wo uss din wala ladka aur ladki aa rahe hain saath me ek aur
hai wahi lag rahe hain

Chamcha 1:- haan wahi hain Back to hero:

Ronit:- wo dekh saamne ye uss din wale ladke hain

Anjali:- Vj mujhe dar lag raha hai

Main:- relax thodi der baad dar unhe lagega un ladkon ne raasta ghera hua tha humne
unke saamne jaakar gaadi rok di

Chamcha 1:- kyu be

Main:- shhh tere boss ko aajane de fir bakwaas kar liyo


Shekhar:- le aa gaya wo chamcha kuch bolta usse pehle mere piche se awaaz aayi

Shekhar:- dekh kya rahe ho maaro saale ko saare ladko ke haath me kuch na kuch tha
jaise chain hockey stick base ball bat etc saamne wale bande ne apna hockey stick uthaya
hi tha ki chataakk mera ek halka thappad uske thobde par pada (zor ka maarta toh baal
sudhar kendra me do saal guzaarne padte) wo banda do baar ghuma aur phir zameen par
gira uski aankhen khuli thi par wo hil nahi paa raha tha ek side ka hoth pura ukhad chuka
tha waha jitne log khade the sab jad ho gaye koi hil bhi nahi paa raha tha par main ruka
nahi meri body aur haath 9 baar ghume aahhh kad kad dhap dhapp 9 baar awazein hui
aur main wapas jahan khada tha waha wapas aakar khada ho gaya Shekhar ke saare bande
zameen par pade the kisika haath toota tha kisika pair kuch behosh ho chuke the yaha
mere dost aur unke peeche khade Shekhar aur charon ladkiyon ko toh theek se kuch dikha
bhi nahi tha sabko bas ek jhonka sa aage ki taraf guzarte hue dikha jo unke chamcho se
takrate hue wapas apni jagah par khada tha

Shekhar:- ummm abhi Shekhar kuch samjh bhi paata usse pehle hi maine usse ek haath
se hawa me utha diya tha

Main:- bh****ke teri itni himmat ho gayi ki tune mere dost par haath uthaya saale chahun
toh ek second me teri gardan tod dunpar tujhe saza main nahi Ronit dega Ronittt maar
ma*******od ko maine Shekhar ko Ronit ke pair ke paas fek diya Ronit ne ek hockey stick
uthayi aur shuru kiya pelna

Shekhar:- bhai bhai please mujhe maaf karde bhai main in ladkiyon ke kehne me aa gaya
tha aahhh aage wo bol nahi paya kyu ki Ronit ne stick sidha uske right hand pe maar di thi

Ronit:- saale issi haath se mera haath toda tha na tune le Ronit usse tab tak maarta raha
jab tak wo behosh nahi ho gaya charo ladkiyan toh aankhen khol kar khade khade hi
behosh ho gayin thi chataakk thappad Vaani ko pada hosh baaki teeno ko bhi aa gaya aur
thappad maarne wali thi hamari Anjali

Anjali:- kyu kya hua? uss din toh bohat dhamkiyan de rahe the ab mouh kyu band hai bolo
charon ne bhaagne me hi bhalai samjhi charon mudne ko hui par hil nahi payin maine aur
Ronit ne do do ladkiyon ke haath peeche se pakad liye the

Avantika:- chhodo mujhe

Main:- chup Anjali jab tak mann kare maar phir kya tha chataaakk chataakk baari baari
charon ke galon par Anjali apni ungliyon ke nishaan chaapti chali gayi aur jab tak thak nahi
gayi counting chalu rahi
Anjali:- dobara agar hamse tum log ulajhne ki koshish bhi kiye naa toh ye sirf trailer tha
agli baar puri picture dikhayenge Vj Ronit chalo

Vaani:- tum teeno ko lagta hai sab khatam ho gaya mere dad tum teeno ko chhodenge
nahi main muskurate hue

Main:- pehle wo khud ko toh bachaa le un logon ko waise hi chhod hum teeno nikal gaye

Wahi dusri ore:

tad tad talwar se talwar takra rahi thi ye do log the jinke beech talwar baazi ho rahi thi ek
tha Digvijay aur dusre ka chehra nakab ke peeche chupa hua tha

Digvijay:- aaj tu mujhse nahi bach sakta aaj teri zindagi ka aakhri din hai par saamne wala
kuch nahi bola bas zor se apni talwar chala di Digvijay ne uske waar ko rokne ke liye apni
talwar aage ki par ye kya saamne wale ki talwar se takraate hi Digvijay ki talwar toot gayi
abhi Digvijay sambhal bhi nahi paya tha ki aahh ek tez dard bhari awaaz har taraf gunj gayi
ye aawaz Digvijay ki thi uske chest ke beech me nakabposh ki talwar ghus chuki thi Digvijay
zamin par gir gaya dard uski aankhon me saaf dikh raha tha wo fati aankhon se nakab
posh ki taraf dekhe jaa raha tha tabhi nakab posh ne apna nakab hataya aur jo chehra
saamne aaya usse dekh kar Digvijay ka dimag ghum gaya Vikramm issi ke saath Digvijay ki
neend toot gayi

Vaani:- papa chillate hue Vaani Satish ke gale lag kar rone lagi aaj Satish ghar par hi tha
abhi wo hall me baitha Lakhan ko kuch samjha hi raha tha ki Vaani school se wapas aayi
aur saamne hi apne dad ko dekh khud ko control nahi kar payi chillane ki awaaz sunkar
Anukriti jo kitchen me thi wo bhi doudte hue bahar aayi aur ek room jo hall ke baaju me
hi tha waha se nikle Gulshan Ahuja Avantika aur Shanaya jo apne aansu dabaye hue the
Dada ji ko dekhte hi unka control khatam ho gaya

Dada ji:- kya hua bachon tum teeno ro kyu rahe ho Dada ji Avni aur Shanaya ke aansu
dekhkar boukhla se gaye the ye pehli baar tha jab unki potiyan ro rahi thi same haalat
Satish ki bhi thi

Avni:- Dada ji usne hame maara itna hi kafi tha Dada ji ka dimag ghumane ke liye jinhe aaj
tak phoolon ki tarah unhone paala thaun par kisine haath uthaya ye sunkar unka dimag
phat jaa raha tha

Dada ji:- Satishh Dada ji itne zor se cheekhe ki saamne baitha Satish kaamp gaya same
haalat Lakhan ki bhi thi dono hi Dada ji ke ghusse ko achi tarah se jante the
Dada ji:- meri bacchiyan jinhe gulab se bhi door rakha humne taaki uske saath ke kaante
inhe na chubh jayejinhe daante ka hak hamne inke maa baap ko bhi nahi diya unhe kisine
maara tumne vaada kiya tha ki hamari potiyon ko kabhi taklif nahi hogi kya kaha tha
tumneki tumhare naam se pura Mumbai kaampta hai yahi hai tumhara rutba

Satish:- dar dar ke yakin kijiye Dada ji jo bhi mujhe janta hai mere pariwar se ulajhne ki
galti kabhi nahi karega

Dada ji:- apni bakwaas apne paas rakho beta AvniShanaya Vaani kisne haath uthaya
tumpar

Shanaya:- uska naam Vikram hai Dada ji hamare class me hi padhta hai Avantika ne
Shanaya ko dekha Shanaya ne usse aankhon se hi chup rehne ka ishara kiya

Vaani:- haan dadu aur ek nahi bohat baar maara ab toh Satish aur Dada ji ka dimag pura
hi ghum gaya

Dada ji:- fikr na karo bacho shaam tak uski laash tumhare saamne hogi

Avantika:- nahi Dada ji main nahi chahti ki wo mareusse uska attitude uski jaan se zyada
kimti hai main usse apne pairon me girwakar maafi mangwana chahti hun

Dada ji:- waah ye ki na tune meri poti wali baat Dada ji mobile nikal koi number dial karne
lage

Satish:- plz dad (Satish bhi Gulshan ko dad hi bulata hai) mujhe ek mouka dijiye iss ladke
ko main handle karunga

Dada ji:- thek hai shaam tak ka waqt hai tumhare paas shaam tak wo ladka mujhe meri
potiyon ke kadmo me chahiye

Satish:- mera waada hai aapse shaam tak uska ghamand aur sar dono jhuk kar yahi pade
honge beta Vaani kaun hai wo ladka? kaha rehta hai?

Vaani:- dad uss raat hum ek party me gaye the jahan ek ladke ne aapse badtamizi ki thi ye
wahi hai

Satish:- shocked kaun wo Jairaj ka ladka

Vaani:- yes dad

Dada ji:- ye main kya sun raha hun Satish uss ladke ne pehle bhi badtamizi ki thi aur wo
ab tak zinda hai
Satish:- dad wo matter kuch aur tha aur uss beizzati ke badle ki ek kisht me le bhi chuka
hun maine socha tha dheere dheere iss matter ko niptaungapar ab lagta hai jaldi hi sab
khatam karna hoga Lakhan shaam tak wo ladka mujhe yaha meri bachhiyon ke pairon me
chahiye apne sabse ache bando ko pakdo jo haithyar lage wo lo aur jao agar wo apne ghar
me bhi ho toh bhi utha lena aur jo saamne aaye usse thok dena bhale wo Jairaj ya uski
biwi hi kyu na ho

Lakhan:- aap fikr na kare maalik kaam ho jayega dhadaakkk abhi Lakhan darwaze tak
pahuncha hi tha ki ek zordar aawaz ke saath darwaza pura ukhad gaya aur do log udte
hue sidhe Lakhan se takraaye unke takraane ki force itni zyaada thi ki Lakhan bhi udata
hua Satish se takraya dono gir pade

Vaani:- dadd

Anukriti:- jiii sabhi bhagte hue Satish ke paas pahunchke usse uthane lage tabhi koi andar
aaya jise sabse pehle Dada ji ne dekha

Dada ji:- kaun ho tumm? Dada ji ki awaaz sun sabhi ne saamne ki taraf dekha

Avantika:- Viikkrraamm

Wahi dusri taraf:

Nishkalika:- kya hua jaan aap kuch pareshan dikh rahe hain

Digvijay:- haan nahi kuch nahi

Nishkalika:- aap bhul rahe hain ki ab hum dono ek hain aapki pareshani mujhse chhup
nahi sakti Nishkalika ne apni aankhen band ki aur Digvijay ke sir par haath rakha Digvijay
ke raat ka sapna uski aankhon ke aage dikhne laga jaise hi talwar Digvijay ke seene me
utri Nishkalika ki aankhen khul gayi uske chehre par bhi dar aur pareshani dikhne lagi

Nishkalika:- itni badi baat aur aap mujhse chhupa rahe the

Digvijay:- arre ghabra kyu rahi ho ye toh mahaz ek sapna tha

Nishkalika:- nahi ye ek drishti (vision) hai bhavishya ki sambhavana hai isse halke me nahi
liya jaa sakta Digvijay bhi ye sab sunke tension me aa gaya

Digvijay:- toh ab kya kare?

Nishkalika:- fikr na kare abhi Nishkalika zinda hai iss sankat ke samadhan ke liye hame
kavri ghaati jana hoga
Digvijay:- kaavri ghati ab ye kya bala hai

Nishkalika:- issi grah ke uttari chhor ke anth me hai kaavri ghati

Digvijay:- par hum waha kyu jayen

Nishkalika:- ye apko waha pahunchke pata chal jayega Nishkalika ne Digvijay ka haath
pakda aur dono antar dhayan ho gaye

Back to hero:

Dada ji:- kaun Vikram? kahi ye wahi toh nahi jiski abhi baat ho rahi thi sabhi ladkiyon ne
haan me gardan hila di

Dada ji:- badi himmat hai tere me ladke hamare betiyon par haath uthake hamare ghar
aakar hamare saamne khada hai tu aa toh gaya hai par ab zinda jayega nahi

Main:- ye toh galat hai Dada ji ghar aaye mehmaan ka koi aise swagat karta hai kya? waise
tumhare jaise ghatiya insan ko itni izzat dekar Dada ji kehna acha toh nahi lagta par kya
karun aap aadmi bhale hi bekar hopar mujhse bade ho agar aap aaj mujhse peet bhi gaye
naa toh kasam se izzat de de kar marunga

Avantika:- tumhari himmat kaise hui mere dadu se aise baat karne ki

Main:- darlinghimaat tumne abhi dekhi hi kaha hai ek trailer thodi der pehle dekha thaaur
ek kuch der me dekh logi ab tak Satish aur Lakhan bhi uth chuke the

Satish:- ladkiyon ko maarkar apne aap ko surma samjhta hai tu

Main:- ladkiyon ko teri ye teeno chuhiyon ne ye kaha ki maine inhe maara hai abbe
ch*****ye moti budhi uss din party me bhi isne mujhpe haath uthaya tha agar main
chahta toh isse uss din hi duniya se utha deta aaj bhi agar maine inhe maara hota toh ye
sab kabka nark sidhar chuki hoti mujhe samjh nahi aata tu itna bada don ban kaise gaya
mere ye kehte hi Satish ka mouh khul gaya jo baat aaj tak Police pata nahi kar payi thi wo
maine aise hi bata diya tha shock me sirf wo hi nahi uski biwiaur ladkiyan bhi thi Dada ji
ko toh sab pata hi tha

Satish:- baat ghumate hue apni bakwas band kar Shera Bilaa Satu kaliya kaha mar gaye be
sabke sab

Main:- koi nahi aayega bahar pade hue hain mere jaate hi ambulance turant mangwa liyo
zyada der karega toh kahi tere aadmi life time ke liye apahij na reh jayen
Lakhan:- saale bohat bol raha hai wahi side diwal pe do talwar tangi thi Lakhan usme se
ek khicnh kar meri taraf douda wahi main aaram se apni jagah khada tha Lakhan theek
mere saamne se doudta hua mere paas aaya aur talwar ghuma di

Main:- mouh band kar be aur jo tu dhund raha hai ye dekh ye rahi hua ye ki Lakhan ke
talwar upar karte hi main tezi se aage badha uske haath se talwar li aur apni jagah par
wapas khada ho gaya ye maine second ke duswe hisse se bhi kam waqt me kiya tha Lakhan
ne haath toh ghumaya par haath toh khali ho chuka tha wo kabhi apne haath ko dekhta
toh kabhi mere haath ko jisme uski thodi der pehle pakdi hui talwar thi Lakhan ka sharir
itna lamba chouda tha ki uske saamne kya kya hua ye peeche khade kisiko bhi dikha nahi
tha main pure ghusse se ma*****od tune hi mere dad ki gaadi thoki thi naa maine uska
collar pakda aur utha diya

Main:- saale be*****odek naale ki aukaad nahi hoti ki wo samandar se takraaye maine
usse peeche fek diya wo udta hua gaya aur Satish ke saamne ek kaanch ki table thi uspe
gira table toot gaya main Satish ke paas pahuncha uski puri family uske paas hi khadi thi
aur kafi dari hui thi

Main:- tujhe mere dad pe hamla nahi karna chahiye tha aahhh Avantika ke Dada ji zameen
par gir gaye hua ye ki mujhe Satish ke saath baat karte dekh Dada ji ne side se apni chadi
mere upar chala dijo maine dekh li thi maine haath upar kar chaddi ko pakda aur apni
taraf kheencha Dada ji mazbooti se chaddi pakde hue the chaddi ke saath saath wo bhi
kheencha gaye aur sidhe meri chaati se takraye unhe aisa lag raha tha jaise wo kisi chattan
se takraye hain

Avantika:- tumhe sharam nahi aati ek buzurg ko maarte hue

Main:- waah re buzurg matlab wo mujhe maarne ke liye chaadi ghuma sakte hainaadmi
bhej sakte hain par hum kuch nahi kar sakte bewakoof ki tarah nahi yaar wo bade hain
hamari maar sakte haiyahi bolte rahen kyu? maaf karna madam sharif hun ch****ya nahi
haan toh main kaha thaarre ghanta kaha tha chaatakk aur hamare Satish bhaisahab
zameen par kaan sunnhoth phat gayeaur gardan akad gayi par main ruka nahi peeche se
uski gardan pakdi aur utha diya saamne diwal thi wahi usse ulta chipka diya maine uska
right hand pakda halka peeche jhatka diya kadakk kandhe ki joint haddi khisak gayi aahhh
Satish ki ek dard naak awaaz har taraf gunj gayi par mere sir par toh khoon sawar tha abhi
maine dusra haath pakda hi tha ki mujhe apne pairon par kisike haath mehsoos hue ye
Satish ki wife thi jo bheegi aankhon se mere pair pakad mujhe dekhi jaa rahi thi
Anukriti:- plz inhe chhod do wo bas itna hi bol payi aur ro padi unke rone se mere dil me
ek tees si uthi shayad issliye kyu ki maine unki aankhon me unka character dekh liya tha
iss kamre me ek wahi thi jinka dil saaf tha maine Satish ko chhod diya side me nazar
ghumayi toh sabhi ladkiyon ka wahi haal tha Dada ji toh pathrayi ghabrayi aankhon se
mujhe dekh rahe the

Main:- Satish sirf aunty ki wajah se tu bach gaya par dobara agar mere dad ki taraf dekha
bhi naatoh upar wala bhi tujhe mujhse bacha nahi payega aur tum teenoagar dobara koi
nautanki ki naatoh ye ladkiyon wala tag bhi tumhe mujhse bacha nahi payega maine sabki
taraf ek baar ghoor kar dekha aur nikal gaya

Wahi dusri taraf:

Digvijay:- ye mujhe kaisi jagah le aayi iss waqt Digvijay aur Nishkalika khade the kaavri
ghati ke sarhad par Kaavri ghati har taraf se sunsaan daravani si dikhne wali ghati sukhe
pade ped par bohat zyaada taadad me ubhad khaabad ghumavdaar raaste jinpar kaali
mitti jami hui thi aur un raaston ke dono taraf anthin gehri khai

Nishkalika:- yahi hai Kaavri ghati

Digvijay:- par hum yaha kyu aaye hain?

Nishkalika:- aapke sapne ko haqiqat me badalne se rokne ke liye

Digvijay:- main kuch samjha nahi

Nishkalika:- samjh jaoge mere peeche peeche aao

Digvijay:- jahan bhi jana hai hum sidhe waha nahi pahunch sakte kya matlab antar dhayan
hokar ya ud kar

Nishkalika:- nahi yaha hum koi jaadu nahi kar sakte

Digvijay:- arre aise kaise Digvijay ne gayab hone ke liye apni aankhen band ki

Nishkalika:- nahi ruk jaiye par tab tak der ho chuki thi ek tez bijli chamki aur Digvijay ko
lagi Digvijay door fenka gaya

Nishkalika:- aap thek toh hain naa

Digvijay:- haan bas sharir me ek ajeeb si jalan ho rahi hai

Nishkalika:- maine kaha tha naa yaha ham jadoo nahi kar sakte
Digvijay:- lekin kyu?

Niskalika:- aage chaliye pata chal jayega hum dono aage ki taraf chal diye par kuch aage
jane ke baad Digvijay chonk gaya

Digvijay:- ye sab kya hai

Nishkalika:- ye sab wo log hain jinho ne yaha apni shakti aazmane ki koshish ki thi actually
abhi jahan se Digvijay aur Nishkalika guzar rahe the waha dher saare kankal pade the
Digvijay fir kuch nahi bola aur chup chaap Nishkalika ke peeche peeche chal diya kuch dur
jane ke baad Nishkalika ruk gayi

Nishkalika:- hum pahunch gaye chaliye hume andar jana hai Nishkalika ne Digvijay ka
haath pakda aur andar ki taraf chal di Digvijay ne saamne dekha saamne ek gufa thi jiske
andar se alag alag rang ki roshni aa rahi thi is baar Digvijay ne koi sawal nahi pucha aur
chup chaap Nishkalika ke saath saath andar chala gaya par andar ka mahoul dekhkar
Digvijay ki aankhen choundhiya gayi

Digvijay:- kya ye sab

Nishkalika:- aapne thek samjha ye heere hi hain darasal waha ka mahoul pura jaduyi tha
pure gufa me alag alag colours ke actually har colour ke heere jagmaga rahe the par usse
bhi ajeeb ye tha ki saare heere hawa me tair rahe the

Nishkalika:- aapne suna hoga ki heeron ko tarasha jata hai par ye wo heere hain jo hume
tareshenge

Digvijay:- matlab

Nishkalika:- iss bramhaand me jitne bhi mantra hai jaadoo hai shaktiyan hai ye saare heere
un sab ke pratik hain humare andar jitni bhi shakti hain mantra hain yudh kala hai hume
wo sab inko soupne honge

Digvijay:- soupne honge fir hum toh kamzor ho jayenge

Nishkalika:- haan hamari har yudh shaili saari shakti in heeron me chali jayegi jise ye heere
10 guna tak nikhaar kar hame wapas denge

Digvijay:- sach toh ab tak tum yaha kyu nahi aayi thi
Nishkalika:- meri akele ki shakti itni prabal nahi thi ki yaha ke urja ko bardasht kar sake
par aapki aur meri shakti milkar itni saksham hai ki hum saath me yaha aa sakte hain issliye
toh maine andar aate waqt aapka haath pakda tha

Digvijay:- achaa toh ab

Nishkalika:- hume ek dusre ka haath pakad kar dhayan me baith apni saari shakti in
heeron ko deni hongi par ek baat bata dunis gufa ka samay chakra bahari duniya se bohat
tez chalta hai yaha ka ek ghanta bahari duniya ke ek din ke barabar hai

Digvijay:- chalo phir fir hume der nahi karni chahiye dono ek dusre ka haath pakad kar
dhayan aasan me baith gaye

Back to hero:

Peon:- Vikram aapko Prinipal sir ne bulaya hai

Studies sports aur masti ke beech hamare din beetne lage uss din ke baad se Avantika aur
uski behano ne koi naya drama nahi kiya tha hamare saamne unka group sir jhukar hi
chalta tha main toh dhayan bhi nahi deta tha par ye Ronit mahashay aur Anjali
mohotarma beech beech me unko ungli karte rehte the fir ek din maine unhe daanta toh
wo bhi band ho gaya zindagi back to normal ho gayi thi par jaisa ki maine kaha tha ki jo
normal hi rahe wo hamari zindagi toh ho nahi sakti shayad ye Princi ka bulawa aise hi kisi
naye dhamake ke liye tha

Main:- may I come in sir

Principal:- yes Vikram come in par jaise hi maine saamne dekha toh mera dimag ghum
gaya saamne Avantika madam jo baithi thi wo bhi mujhe full too shock me dekh rahi thi
par maine usse complete ignore maara aur sir ke saamne khada raha

Principal:- arre baitho yaar main wahi Avantika ki side ki chair me baith gaya

Principal:- maine tum dono ko issliye bulaya hai ki ********

Main/Avantika:- whatt? noo

Ronit:- kutte kamine saale mar ja tu

Anjali:- ye kyu marega maregi wo kide padenge kutte ki mout maregi aur tu aise toh bada
bolta hai Vj jo bolta hai wo ho jata hai toh ab kya hua?
Ronit:- abbe hum dono kab se kutte ki tarah bhonk rahe hain kuch bakega bhi school ki
chutti ho chuki thi par meri claas chalu thi

Main:- abbe bolne doge tab naa aadhe ghante se sunaye hi jaa rahe ho

Anjali:- toh kya teri taarif kare

Main:- arre meri maasir ne emotinal blackmailing shuru kar di thi mujhe haan karni padi

Ronit:- abbe kya emotional blackmailing apni beti se rishta fix kar raha tha kya waise Princi
ki beti hai maal yaar

Anjali:- chup be aur tu batakya bol kar fasa liya usne the great Vj ko

Main:- aise taana maregi toh nahi bataunga

Anjali:- chup chaap batade warna mouh tod dungi

Main:- arre yaar wo Princi

Ronit:- aise nahi puri detail me bata shuru se saala warna tu kuch na kuch goal kar dega

Main:- tu bhi naa chal sun jab main Princi ke office pahuncha toh wo bhi wahi baithi hui
thi main bhi jaakar baith gaya fir

Back to Principal office:

Principal:- Vikram one of yours dreams iss going to get true

Main:- dream sir

Principal:- one by one remember

Main:- oh shit I did it I forget iss saal toh main jane ke liye qualifiy ho chuka hun Avantika
toh bas chehre par sawal liye kabhi mujhe toh kabhi Princi ko dekh rahi thi

Principal:- Avantika let me clear your confusion one by one stands for India's best IQ ye
ek national level IQ competition hai Vikram ka dream tha isme participate karna par iss
competition me sirf 11th aur 12th ke student hi participate kar sakte hain aur ab tum dono
hi 11th me ho

Vikram:- exactly ek second tum dono matlab

Principal:- tum dono matlab tum dono tum dono hi iss saal iss competition me participate
kar rahe ho
Main/Avantika:- whatt? noo Princi hum dono ke reaction dekhkar shocked ho gaye

Principal:- what no any problem

Main:- sir har saal ek state ko ek hi student represent karta hai naa

Principal:- hai nahi tha iss saal format change hua hai iss saal ek nahi har state ko do
students represent kare ge aur luckily hamare school me hi wo do toppers hain

Avantika:- sorry sir main iske saath participate nahi karungi

Main:- pehli baar akal mandi ki baat ki hai tumne sir mere saath kisi aur ko bhej dijiye

Principal:- Miss Avantika Ahuja this was not a request main tumhare liye simple kar deta
hun you have two options

1st:- participate in this competition

2nd:- if u dont neither will you participate in any of schools competition nor in any
curricular activity I thi nk I am very much clear aur Vikrami didn't expected this from u ye
competition toh tumhara saalon purana dream tha naa kya tumhari personal problems
aur ego tumhare passion se zyada important hai

Main:- sir maine kab jane se mana kiya isne kiya hai sir Anjali bhi toh toppers me se hai
usse bhej dijiye I assure u sirhum hi jeetenge Avantika ne jaise hi Anjali ka naam suna uska
dimag ghum gaya

Avantika:- (mann main) agar main nahi jaungi toh wo Anjali meri jagah chali jayegi aur
agar in dono jeet gaye toh ek tarike se main bhi usse haar jaungi nahi nahimain usse nahi
haar sakti abhi Avantika kuch kehti usse pehle Princi bol uthe

Principal:- no Vikram kaun jayega kaun nahi ye mere haath me nahi hai tum dono ka hi
naam state education board ki taraf se recommend kiya gaya hai jana toh tum dono ko hi
padega

Main:- jana padega matlab sir competition toh yahi Mumbai me hi hota hai naa

Principal:- nahi iss saal ye competition Shimla me hai next monday morning 10 baje ki tum
dono ki flight hai

Avantika:- sir Shimla ghar wale itni door jane ke liye allow nahi kare ge aur iske saath toh
bilkul bhi nahi
Main:- (dheere se) haan tere saath toh brad pitt jayega naa Avantika ne sun liya aur mujhe
ghur ghur kar dekhne lagi

Principal:- itni badi oppertunity tumhe mil rahi hai aur tum kya kya bole jaa rahi ho tum
rehne do main state education department se request karunga ki tumhari jagah Anjali ko
bhej den Anjali ka naam sun Avantika ka dimag fir ghum gaya

Avantika:- no no sir I’ll manage

Main:- arre kya hua tum toh mere saath jane ke liye mana kar rahi thi naa Avantika daant
chabate hue

Avantika:- I said I will manage

Principal:- ok then tum dono ke tickets saturday ko de diye jayenge u may go now

Dono:- thank you sir ye bol kar ek dusre ko ghurte hue nikal gaye

Main:- aisa hua tha

Anjali:- yaar uski jagah main chalti toh kitna maza aata

Ronit:- tu kyu main jata toh soch kitna maza aata

Anjali:- sirf maza aata competition toh haar hi jaate main aur Anjali hans diye

Ronit:- hanso mat be aur competition jeetne ke liye mera bhai akela hi kafi hai aur sun ab
bhi aisa hi hona chahiye saare jawab tu hi dena uss bandariya ko thoda bhi credit mat lene
dena

Main:- done phir hum teeno ghar nikal gaye

Wahi dusri taraf:

Shanaya:- what how could u babes? tu mana nahi kar sakti thi school se ghar aa kar iss
waqt sabhi behane Avantika ke room me baithi thi ab tak Avantika ne kisi ko kuch nahi
bataya tha aur ab jab bataya toh sabhi ka dimag ghum gaya

Avantika:- tujhe kya lagta hai nahi kiya hoga par Princi ne mere aage koi option hi nahi
chhoda fir Avantika ne office me hui puri baat sabko batayi

Vaani:- hmm dekha jaye toh tune thek hi kiya babes tu nahi jati toh teri jagah wo Anjali
looser chali jati isse wo humse aage hi rehti
Shanaya:- oh hello madam kya thek kiya akeli nahi jaa rahi hai saath me wo kameena
Vikram bhi jaa raha hai tujhe kya lagta hai ki hamare ghar wale uske saath jane ke liye
maan jayenge

Vaani:- unhe pata lagega tab naa

Sab:- matlab

Vaani:- simple hai yaar Avni tu bas itna batana ki iss competition ke liye tera selection hua
hai uss Vikram ka naam mat lena

Shanaya:- acha aur ghar walon ne pucha ki aur kaun kaun jaa raha hai toh

Vaani:- arre yaar bol dena education department ne selection ki hai kaun kaun ja raha hai
ye wahi jante hain bas

Avantika:- haan yaar ye thek rahega chalo fir abhi jaakar batate hain

Vaani:- arre abhi ghar me hai kaun sirf mom hai raat ko dinner ke time dad bhi honge tab
bol dena

Avantika:- fir thek hai

Priyanka:- arre didi itni badi news hai aap national level pe participate karne jane wali ho
party toh banti hai

Shanaya:- haan yaar party toh banti hai

Avantika:- toh kisne mana kiya hai chalo fir saari behane ready hokar nikal gaye ghumne
raat ko dinner par Satish ko Avantika ne competition ke bare me bata diya Satish ne toh
ok kar diya par ek baar Dada ji se bhi puch lene ko kaha Dada ji ko Avantika ne mana liya
issi tarah Avantika ka bhi Delhi jana tay ho gaya

Wahi dusri taraf:

saare heere jo waise bhi kafi tez chamak rahe theunki roshni aur tez ho gayi saare heero
me se ek ek ray nikli aur Digvijay aur Nishkalika ke body par padi Digvijay aur Nishkalika
ko dhayan me baithe kafi waqt guzar chuka tha par unki haalat aur sehat me ab tak kuch
badlaaw nahi aaya tha rays ke padte hi dono ke sharir kaampne lage thodi der tak wo rays
dono ke sharir par padte rahe aur fir khatam ho gaye par ye kya Digvijay ur Nishkalika ki
haalat bilkul kharab ho chuki thi unke shair pe bas haddi hi dikh rahi thi aisa lag raha tha
jaise un rays ne un dono ki puri shakti nichod li hai dono hi apne apne jagah pe gir chuke
the dekhkar toh aisa lag raha tha jaise dono mar chuke hain

Back to hero:

Ronit:- abbe saale kaun se janam ka badla le raha hai tu humse ek din me itni exercise
kaun karta hai bhai

Anjali:- sach me yaar khud toh thakta nahihume thaka deta hai yaar hume kaunsa oylmpic
me desh ke liye gold laana hai baat ye thi ki jabse ye Ronit ke haath tutne ka kaand hua
tha maine dono ko regular morning me hard exercise shuru kar di thi aur kuch fighting
techniques bhi sikhata tha aur last me ek liquid pilata tha

Main:- bina naatak ke apna drill pura karo nahi toh exercise double kar dunga

Ronit:- saale acha hai tu aaj ja raha hai kuch din toh in uthapatako se chhutkara milega

Main:- kisne keh diya tujhe ki main gaya toh tum dono exercise nahi karoge har din
exercises aur jo techniques maine sikhaye hai wo tum dono karoge tum dono ko meri
kasam

Anjali:- lai gayi bhaisn paani me karle aaram

Ronit:- maine sach hi kaha tha tu dost nahi dushman hai

Main:- haan hun aaj ke liye itna kafi hai ye lopilo itne dino se wo liquid peepeekar dono
ko ab aadat si ho gayi thi dono chup chap pee gaye chalo ghar fir mujhe nikalna bhi hai

Wahi dusri taraf:

Satish:- kitne baje ki flight hai beta

Avantika:- 10 baje ki mama ji

Satish:- thek hai ready ho jao main tumhe chhod dunga Avantika chai pee rahi thi jo mama
ji ki baat sunkar bahar nikal gayi

Avantika:- ahan ahan

V/Mom:- arre beta aaram se le paani pee Avantika ne Vaani ki taraf dekha

Vaani:- dad aap kyu tension le rahe ho hum chhod denge Avni ko actually in sabhi ko ye
tension thi ki airport par Satish kahi Vikram ko na dekh le fir toh Avantika ka jana hi cancel
ho jata
Satish:- arre isme tension kaisa main chhod dunga abhi Vaani kuch kehti usse pehle uski
mom bol uthi

V/Mom:- arre bacho ko hi jane dijiye naa aap gaye toh aapki security bhi saath jayegi ussi
me meri bachi ko der na ho jaye flight pakadne me

Satish:- thek hai fir tum log hi chale jana par haan security ke liye ek gaadi tum logon ki
gaadi ke saath jayegi

Sab:- done

Satish:- thek hai Avni beta main bhi chalta hun all the best ok jeet kar hi aana

Avantika:- thanks mama ji pakka sabko bye bol girls ki toli nikli airport ki taraf

Back to hero:

Main:- mom jaldi karo na main already late hun

Mom:- bas aayi iss waqt hamara hero complete ready hokar khade the aur unki mom aarti
ki thal saja rahi thi jab se maine ghar par bataya ki mujhe competition me jana hai toh
Jairaj bohat khush hue hote bhi kyu naa national level competition ke liye unke bete ko jo
chuna gaya tha khush toh mom bhi thi par usse zyada nervous bhi ki akele Shimla jaise
shahar me main kaise rahunga par mere aur dad ke lagatar samjhane par maan gayi mujhe
bhejne ko

Mom:- mere bete ko duniya ki saari kamiyabi mile aarti kar ke mom ne mujhe tika lagakar
aashirwaad diya

Main:- woh toh milega hi aap dono ka jo beta hun maine dono ke pair chhukar aashirwaad
liye aur bahar aa gaya main Ronit aur Anjali nikal pade airport ki taraf

Car me:

Ronit:- sun na jab tu jeetega aur prize milte waqt jab exceptance speech dega naa toh
beech me mera naam bhi bol dena

Anjali:- saale tera naam bolega naa toh prize hi chhin lenge

Ronit:- tu jab bhi mouh kholti hai manhusiyat hi kyu failati hai aise hi nok jhonk karte kab
airport aaya pata hi nahi chala

Wahi dusri taraf:


Shanaya:- holy shit subah subah in teeno ka chehra dekh liya pakka pura din bekar jayega
charon behane abhi abhi airport pahunche the wo car se utre hi the ki baaju me hamari
car ruki

Avantika:- tum logon ka toh bas aaj ka din kharab hoga mera toh pura hafta hi kharab
hone wala hai ye baat usne thodi zor se boli taaki hum teeno bhi sun saken

Anjali:- arre teri

Main:- oye Anjali kya kar rahi hai banda kichhad pe gire ya kichhad bande parganda toh
banda hi hota hai naa meri baat sunke charon me se teen ki sulag gayi

Priyanka:- all the best sir hum teeno kuch baat hi kar rahe the ki hamare kaano me ye
awaaz padi maine saamne dekha toh ye un teeno ki choti behan thi mujhe uski aankhon
me wahi maasumiyat dikhi jo uss din uski mom ke aankhon me dikhi thi

Main:- thanks dear chalo in bewakufon ki toli me koi toh samjhdaar hai maine uske sir par
haath fera wo smile dekar wapas chali gayi

Vaani:- tujhe usse wish karne ki kya zaroorat thi?

Priyanka:- offo di wo aur di toh ek team me hi hain na unhe wish karun ya di ko wish toh
dono ko lagegi naa

Main:- arre waah tum toh samjhdar hone ke saath saath intelligent bhi ho iss competition
me tumhari didi ko nahi tumhe chalna tha mere saath meri baat sun teeno ki fir jal gayi
maine bhi haste hue apne dono doston ko gale lagaya aur airport ke andar chal pada mere
peeche peeche Avantika bhi aa gayi maine jakar boarding paas jama kiya aur ticket leke
waiting lounge me baith gaya abhi kuch sawa ghanta baaki tha hamari flight me

Avantika:- suno

Main:- bako I mean bolo Avantika ne mujhe ek look diya fir kaha meri ticket actually
saturday ko hi Princi ne mujhe boarding paas aur baaki saare imp papers jo hame Shimla
me lagne wale the wo de diya tha Avantika ko ye baat pata thi par apne ego ke chalte
usne mujhse maanga nahi maine bhi diya nahi

Main:- ye lo maine usse uski tickets de di wo mujhse thodi door jaakar baith gayi kuch
aadhe ghante baad flight announce hui main aur Avantika chal pade check in karne aur
kuch hi waqt me hum flight me the
Avantika:- excuse me can u plz change my seat plane par chadhte hi madam ne air hostess
pe sawal daaga

Air Hostess:- sorry mam aaj puri flight full hai aap plz apni seat par baith jaiye flight take
off karne wali hai main toh pehle hi apni seat par baith chuka tha madam bhi pair patakti
hui aayin aur mere saamne khadi ho gayi

Main:- ab bako bhi kya hua?

Avantika:- mujhe window seat chahiye

Main:- sorry mam aaj puri flight full hai aap plz apni seat par baith jaiye flight take off
karne wali hai maine Air Hostess ka dialouge repeat kar diya

Avantika:- maine tumhare jaisa badtamiz ladka aaj tak nahi dekha

Main:- aur dekhogi bhi nahi mera jaisa piece roz roz paida nahi hota

Air Hostess:- maam please sit down flight take off hone hi wali hai sir please put on ur
seat belt

Main:- can u help me with it plz

Air Hostess:- sure sir

Main:- umhh Viktor & Rolf flower bomb nice perfume

Air Hostess:- wow sir par aapko kaise pata? beautiful blend of green tea bergamot jasmine
freesia rose & orchid uske upar aapki khoobsurti kaisa nahi pehchanta Air Hostess meri
baaton par blush karne lagi

Avantika:- ye issi kam me expert hain

Air Hostess:- ji?

Main:- arre iski aadat hai bakwas karne ki ab itni hot ladki saamne ho toh average looking
girls toh jalenge hi

Avantika:- main aur average looking kabhi apne aap ko dekha hai tumne

Main:- ab apni taarif khud toh nahi kar sakta aap bataiye maam main thek thak dikhta hun
naa

Air Hostess:- thek thak u must be kidding sir aap toh bohat handsome hain infact maine
aaj tak aapse handome aur charming ladka nahi dekha
Main:- koi dard me bhi hasta hai toh koi khushi me bhi rota hai nazariya toh dekhne wale
ki aankhon me hota hai

Air Hostess:- wow sir u are a poet too maam I must say u r very lucky to have a boyfriend
like him

Avantika:- what no he is not my boy friend

Air Hostess:- bad luck for u ok sir main chalti hon if u need anything just press the button
main aa jaungi

Main:- hum toh aapko dekh kar hi pura safar guzar lenge aap jaiye Air Hostess bhi haste
hue chali gayi aur ye madam apne me bhunbhunate hue baith gayi fir kuch khass nahi hua
madam koi gk book nikalkar padhne lagi aur main toh mast head phone lagakar gana
sunte sunte so gaya

Avantika:- uth jaa kumbkaran ki aulaad Avantika ke hilane se meri neend khuli

Main:- kya hua kyu gala phaad rahi hai

Avantika:- flight land ho raha hai hum pahunchne wale hain

Main:- ohh chal ab thanks bol

Avantika:- maine tujhe uthaya hai main kyu thanks bolun?

Main:- arre agar main sota reh jata aur flight land hone se mujhe chot lag jati toh main
participate nahi kar paata aur agar main participate nahi karta toh hum jeet nahi paate
mere jaagne ki wajah se hum jeet jayenge toh chal thanks bol

Avantika:- oh God kaha fas gayi

Main:- abhi bhi time hai flight land hui nahi hai ab tak main toh bolta hun kood ja tera bhi
tension khatam aur duniya ka bhi Avantika kuch nahi boli aur dusri taraf mouh karke baith
gayi kuch der baad flight land hui check out kar airport se nikalte nikalte kuch 45 min lag
gaye par hum jab bahar aaye toh ek nayi musibat hamara wait kar rahi thi baarish ka
mausam tha aur yaha pahadi area me achanak tez hawa ke saath hi baarish shuru ho gayi
thi jiski wajah se jo gaadi hume pic karne ke liye aane wali thi wo nahi pahunchi thi mere
paas hotel ka number tha maine waha call kiya par network hi nahi tha maine ye baat
Avantika ko batayi

Avantika:- oh God ab main kya karun?


Main:- oh hello madam main nahi hum

Avantika:- hum nahi main tumse kisse matlab hai bhaad me jao tum tum na manhoos ho
ye mausam bhi tumhari manhusiyat ki wajah se kharab hua hai

Main:- waah baarish ke mausam me baarish nahi giregi toh kya aag barsenge par u know
what for a change tum iss baar sahi ho main manhoos hun par tabhi se jabse tum mujhe
mili ho

Avantika:- tumse baat karna hi bekar hai ek kaam karte haintum mujhe hotel ka adress de
do main khud chali jaungi mujhe tumhare saath ek sec bhi aur nahi rehna

Main:- waah tumne toh meri dil ki baat keh di ye raha hotel ka adressmain chala apne
raste tum jao apne raste ye bol main left side ki taraf nikal pada baarish toh kam hi gir
rahi thi par hawa kafi tez thi par mujhe toh in sab se koi fark padta nahi tha mujhe dikh
bhi saaf raha tha tabhi maine dekha thodi aage ek taxi khadi hai main doudte hue waha
pahuncha

Main:- paa ji kya hotel Wood Castle chaloge

Cab Driver:- oh puttar mausom toh dekh aise me gaddi aage nahi badh sakti

Main:- paa ji chalo naa aap double charge le lena double charge sunte hi uski batti jali

Cab Driver:- thek hai puttar chalo paaji ne meter giraya aur hum chal pade

Main:- oh paa ji ek min roko

Cab Driver:- kya hua puttar

Main:- aap roko toh paa ji ne gaadi rok di actually abhi hume aage badhe ek min bhi nahi
hua tha ki maine apne left side me kuch ladko ko ek ladki ke saath badtamizi karte hue
dekha aur ye ladki aur koi nahi hamari priya Avantika madam hi thi ye mousam sirf saanp
aur keedo ke liye nahi hamare desh ke honhar gaanja phunkne wale noujawano ke liye
bhi khaas hota hai kisaan bhailog kehte hai baarish ka mousam unka hai par ye ch***ye
kehte hai ki ganja peena iss mousam ke liye hi bana hai khair main hamari madam ji ke
paas pahuncha

Main:- ahem ahemm Avantika ne saamne dekha jahan main khada tha aur itihas gawah
hai ki jab fatthi hai toh dushman bhi sabse acha dost lagta hai madam aayi aur mere gale
lag kar rone lagi uska badan dar ke maare kaamp raha tha mujhe bhi apni galti ka ehsas
hua bhale kitni hi buri kyu na ho kisi ladki ko yun akela chhodna thek nahi hota
Ganjedi 1:- abbe kaun hai be tu saale chatakk ab mere paas faltu time toh tha nahi ki aise
lapad jhandas ga**uon pe barbaad karta wo kul 6 log the pehle wale ko maarte hi wo
neeche pada mirgi mariz ki tarah kaamp raha tha bas fark ye tha ki uske mouh se jhaag ki
jagah khoon nikal raha tha

Ganjedi 2:- abbe teri toh par aage wo kuch bol nahi sake main tezi se aage badha do ka
gala pakad kar apne dono pairon ko saamne ghumaye meri laath do ko padi wo door jaakr
gire ab wo uthne wale toh the nahi maine jin do ka gala pakda tha unko uthaya aur diya
ek choke slam inka bhi kaam khatam ab bacha ek uss saale ka toh nasha hi utar chuka tha
aur dar ke maare kaamp raha tha

Main:- dar mat be nahi marunga tujhe inko lekar hospital chale jana maine palat kar dekha
toh Avantika ab abhi dar se kaamp rahi thi shayad aisa kuch uske saath first time hua tha
mujhe uspar taras aa gaya maine usse kandhe se pakda aur taxi ki taraf chal pada ab tak
mausam bhi kuch had tak shaant ho chuka tha

Taxi Driver:- oye dil khush kar ditta puttar maza aa gaya dar na kudiye tere saath ek sher
hai kuch nahi hone dega tujhe chalo aao baitho par Avantika ab bhi chup hi thi main aur
Avantika taxi me baith hotel ke liye nikal gaye

Volunteer:- hey excuse me you are representing Maharashta right? Avantika hotel ki
lobby se bahar ki taraf nikal hi rahi thi ki IBI ki ek Volunteer ki awaaz sunkar ruk gayi

Avantika:- yes I’m

Volunteer:- oh great main aapke paas hi aa rahi thi

Avantika:- kyu kya hua any problem

Volunteer:- no no problem actually this a the memo of the whole competition kab kya aur
kaise hoga isme saare details likhe hain ek aapke liye aur dusra aapke partner ke liye I
guess aap bahar jaa rahi hain aap apna rakh lijiye main unka unhe de deti hun

Avantika:- no need for that wo abhi hotel me nahi hain infact main bhi unke paas hi jaa
rahi thi aap unka memo bhi mujhe hi de dijiye main unhe de dungi

Volunteer:- oh really thanks

Avantika:- oh come on its not a big deal Avantika ne uss se Vikram ka memo bhi liya aur
hotel ke bahar nikal gayi
Avantika:- ab aaya unt pahad ke neeche competition me kya hoga ye pata hi nahi chalega
toh prep kya karega Avantika ne Vikram ko dene wala memo faada aur dustbin me fek
diya aur nikal padi Shimla darshan pe abhi subah ke 10 baj rahe the aur life me pehli baar
main itni der tak ghode bech kar so raha tha actually kal raat pehli baar mobile kharidne
ke nuksaano se main ru baroo hua tha pehle mom ne ek ghanta mera dimag khaya pehli
baar jo bahar gaya tha akele fir dad ne aadhe ghante tak tips diye competition se related
ki ye sawal aa sakta hai wo sawal aa sakta hai dono se baat kar phone rakha hi tha ki Anjali
madam ka phone aa gaya unhone Shimla se unke liye kya laana hai uski list likhwaani
shuru ki jisme ek ghanta aur nikal gaya madam ne le dekar call rakha hi tha ki Ronit bhai
sahab ne ghanti baja di aur meri mati maari gayi thi jo maine subah wale Avantika madam
ke kaand ke bare me isse bata diya fir jo iske sawal jawab aur suggestion ka dour shuru
hua toh ek 30 ghante tak chala jab phone rakh kar time dekha toh do baj chuke the maine
tabhi soch liya tha ki kal no exercise no dhayan only taking sleeping gyan

Main:- hello haan mom good morning neend khuli bhi toh kaise mobile ke gala phaadne
se main toh call karne wale ko gaali bakne hi wala thapar jab screen par sweet mom flash
hua toh saara ghussa ud gaya

Mom:- teri awaaz itni alsaayi si kyu lag rahi hai tabiyat toh theek hai naa

Main:- haan mom main thek hun wo abhi neend khuli naa issliye

Mom:- arre waah ye toh chamatkar ho gaya aaj pehli baar mera bacha itni late utha hai

Main:- haan wo raat ko Anju aur Ronit se late tak baat hui issliye neend nahi khuli

Mom:- acha ab uth jaa nashta time se karna chahiye warna tabiyat bigad jayegi

Main:- ok mom where's dad

Mom:- woh aaj thoda jaldi office nikal gaye

Main:- ok mom main baad me baat karta hun bye luv u

Mom:- ok beta bye luv u too tc

Wahi dusri taraf:

Avantika:- bhaiya 10th ki all in one book hai kya?

S Owner:- yes madam main abhi laya


Avantika:- (man me) uska memo toh faad diya par risk nahi le sakti mujhe puri tarike se
prepared rehna hoga ye competition jeetenge toh hum donopar credit sirf mujhe hi
milega iss waqt Avantika madam ek book shop me khadi thi Vikram se aage rahne ke liye
madam se jo ban pad raha tha sab aazma rahi thi

S Owner:- ye lijiye madam

Avantika:- isme saare subjects covered hain naa

Main:- bilkul maam iss catogory ki ye best book hai

Avantika:- ok thanks madam ji book lekar sidhe nikli wapas hotel ke liye ab bhai book le
toh li thi ab ratnaa bhi toh tha

Back to hero:

Main:- kidhar madam Avantika meri awaaz sunkar ruk gayi main neeche lobby me baitha
mobile pe kuch padh hi raha tha ki Avantika mujhe aati dikhi Avantika ka chehra ek sec ek
liye fika pad gaya kyu ki uske haath me book ke saath memo bhi tha par wo turant sambhal
gayi aur badi chalaki se memo ko book ke peeche sarka diya

Main:- kaha kho gayi aap aur ye haath me kya pakda hua hai

Avantika:- kuch nahi bas aise hi timepaas karne ke liye ek book lene gayi thi wahi hai

Main:- kal competition hai aur tumhe time paas karna hai

Avantika:- haan toh meri preparations ho gayi hai acha mujhe room me kuch kaam hai ok
bye

Main:- arre suno toh raajdhani express maine bhi tumse gappe maarne ke liye tumhe nahi
roka hai acha ye batao IBI walon ne koi memo ya koi paper bheja hai kal ke format ka

Avantika:- nahi toh aisa bhi kuch hota hai kya?

Main:- tum na ek no ki dumbo ho kisi bhi competition me uska format toh pehle se aata
hi hai naa

Avantika:- oh I didn't know acha main jati hun

Main:- aaram se jaiyo kahi fisal kar chot na laga baithna warna fir uske liye bhi mujhe hi
kosogi par Avantika ne kuch bhi nahi bola aur nikal gayi
Main:- kamaal hai yaar ab bhi kuch nahi boli ek din me itna change actually kal airport ke
bahar hue hadse ke baad se maine Avantika ko bohat taunt maare the par usne ek baar
bhi kuch nahi bola tha khair saanu ki main bhi kal ki tayari karne apne room chal pada

Heaven me :

St Cecilia:- ye jo ho raha hai aur isse aage jo hoga kya wo sahi hai

St Sebastian:- ye hamare haath me nahi hai ye kahani khud hi khudko likh rahi hai bas
dekhte jao

Back to hero:

Main:- so finally we are here

Avantika:- haan mujhe toh kafi nervousness ho rahi hai

Saint Paul International school wo jagah jahan iss saal IBI competition rakha gaya tha hum
abhi school ke bahar hi khade the aadhe ghante me competition start hone wala tha

Main:- chalen Avantika ne apna sar hilaya aur hum dono andar chale gaye andar kafi saare
volunteers the unme se ek se humne competition ki jagah puchi

Volunteer:- and u are?

Main:- Vikram Jairaj Singh

Avantika:- Avantika Ahuja

Volunteer:- Maharashtra zone right

Hum dono:- yes

Volunteer:- ok aap log mere peeche chaliye wo hume lekar andar ek auditorium me
pahunchi har taraf IBI ke banners lage hue the kafi saare national boards ke officers bhi
waha moujud the hum chalte hue ek jagah pahunche jise dekh kar hamari Avantika
madam khush ho gayi actually hum apne seats ke paas pahunch chuke the jiske piche hum
dono ke bade bade photos lage hue the madam lag gayi apni hi photo ke saath selfie lene
me

Main:- ho gaya tumhara yaar apne hi photo ke saath photo ajeeb nahi hai Avantika bas
mouh bana kar reh gayi
Volunteer:- ye lijiye aapke badges seats toh aapne dekh li baith jaiye humne bhi usse
thanks kaha aur apni seats me baith gaye hey young mann how are u abhi hum baithe hi
the ki hamare saamne ICSE department ke Director aaye ye wahi the jinho ne mujhe 1st
anounce kiya tha

Main:- I’m fine sir she iss Avantika Ahuja my partner

Director:- all the best to u too

Avantika:- thanks sir

Director:- acha Vikram maine tumhe memo ki soft copy bheji thi u went through it

Main:- ya ya I did went through it & thanks for ur support and help

Dirctor:- any time my boy bohat suna hai tumhare Princi se tumhare bare me just win the
competition ok

Main:- I’ll try my best sir Director ne hum dono ko ek baar aur wish kiya aur chale gaye
maine Avantika ki taraf dekha jo sar jhukayee sharmindagi mehsoos kar rahi thi

Main:- dhoke se mili jeet jeet nahi hoti par Vj ko dhoka dena bhi itna aasan nahi hai
madam mujhe memo ki soft copy sir ne ek din pehle hi msg kar di thi

Avantika:- I am sorry

Main:- oye ya kya bol diya soniye khuda ka kahar hi ho gaya ye toh aapke mouh se sorry
par wo kuch zyada hi sad lag rahi thi usne kuch nahi bola

Main:- arre relax mazak kar raha tha ye sab bhool jao aur competition pe focus karo tabhi
announcement hui

Presenter:- good morning every body we welcome u in the 25th IBI meet hamare beech
iss waqt 15 states se participate karne waha ke do best students aaye hain without any
further due main aapko iss saal ka format samjha deti hun iss saal iss competition ko two
parts me divide kiya gaya hai ek competion aaj hoga aur dusra jo ki finals hai aaj se 3 din
baad aaj ka aapka competition general quiz hai aap sabhi apne state ke toppers hain aaj
ke aapke saare sawal aapke books se hi honge aaj tak aapne jo bhi padha hai saare
questions unhi me se honge par catche ye hai ki aap sab jo ki jodi me aaye hain aaj ek
dusre ke saath hokar bhi alag alag test denge

Punjab team:- sorry maam I didn't get you saath hokar bhi alag alagmeans
Presenter:- iska matlab hai aap ko aur aapke partner ko exam ki tarah hi ek ek question
paper aur ek answer sheet di jayegi aap individually uss paper ko solve karke submit kare
ge fir hum aapke aur aapke partner ke right answers calculate kare ge aur dono ke right
answers ko jodne par jo number banega wo aapke team ka result hoga for example team
ek ek student ne 10 me se 10 sahi jawab diye hain aur dusre ne ek toh dono ka total hoga
11 out of 20 aur haan sabse imp baatquestion solve karne ke liye aapke paas bus 15
Minutes hi honge top 5 results ya yun kahu 5 states finals ke liye qualify kare ge baaki ke
states unfortunately aaj shaam ki flight se waapas ghar chale jayenge so are u all ready

Sabhi:- yes maam fir hum sabhi ko question sheet aur mark sheet baatin gayi maine aur
Avantika ne ek baar ek dusre ko dekha par kuch kahanahi hooter ki aawaaz se humne
likhna start kiya aur 15 min baad ek aur hooter baja jiske baad humare answer sheet le
liye gaye results aadhe ghante baad anounce hone the

Avantika:- toh kaisa raha?

Main:- thek thaak

Avantika:- mera toh A one raha bohat easy questions the main bas muskura diya

After 30 mins:

Presenter:- so students we have the names of the qualifiers first position me hain
Maharashtra inke 20 questions me se pure 20 sahi hain Avantika ki toh khushi dekhti ban
rahi thi aur issi khushi me anjane me wo mere gale lag gayi dhaakkk Avantika ke gale lagte
hi zor se mera dil dhadka thodi der baad usse realize hua ki wo mere gale lagi hui hai wo
jhat se alag hui

Avantika:- sorry wo excitement me dhayan nahi raha

Main:- its ok hota hai

Idhar presenter ne baaki charon states ke naam bhi bataye wo sab imp nahi hai toh main
unke bare me nahi likhunga haan par ek baat thi hum paanchon teams jo finals ke liye
select hui thi unme ek chiz commom thi har team me ek ladka tha aur ek ladki

Presenter:- ok then rest of the teamswe are really sorry for ur loss better luck next time
& finalists team we will meet for the finals on saturaday till then prepare for it & enjoy ur
stay in Shimla
Director:- excuse me all the finalists come here please hum sabhi ek dusre ko congratulate
kar rahe the sir ke bulane par unke paas chale gaye

Director:- pehle toh finals me pahunchne ke liye aap sab ko badhai

Sab:- thank you sir

Dirctor:- cafe sol naam ka yaha ek bohat famous resturant hai aaj raat ko aap sab ke
honour me ek party rakhi hai waha aap sab ko pic karne ke liye sharp 8 baje gaadi pahunch
jayegi aap sab ready rahiyega

Student 1:- sir hum toh party wear bhi nahi laaye hain

Director:- uski zaroorat nahi hi dopahar tak aap sab ke room me aaj raat ke liye kapde
pahunch jayenge ok toh milte hain raat ko

Sab:- ok and thank you sir hum sab ko ek hi hotel allot kiya gaya tha hum sab saath hi nikal
pade hotel ke taraf

Party night:

Main:- wow jo sawal har aashiq puchta hai kahi ye wahi jawab toh nahi itni khoobsurti
haqiqat ho nahi sakti kahi ye koi haseen khwab toh nahi iss waqt main tayar hokar neeche
lobby me just pahuncha tha baaki sab neeche aa chuke the tabhi meri nazar Avantika par
padi kaali saari me halki make up ke saath itni khoobsurat lag rahi thi ki mere mouh se
apne aap hi shayri nikal gayi abhi tak unme se kisi ki nazar mujhpe nahi padi thi tabhi
unme se ek ladki ne mujhe dekh liya

Ladki:- woww uski awaaz sun sabne uski taraf dekha aur uski nazar ka peecha kar jab
sabne mujhe dekkha toh sabke mouh se bhi yahi nikla woww in woww me ek woww
Avantika ka bhi tha

Ladki 2:- yaar kitna hot hai bye God meri toh heart beat skip kar gayi isse dekh ladkiyon
ko chhodo ladke bhi ek tak mujhe dekh rahe the main ab tak unke paas pahunch chuka
tha

Main:- kya hua guyzz aise kya dekh rahe ho

Karuna:- yaar tu kya dikh raha hai meri maan party me mat jaa yaha hamara haal behaal
hai pata nahi waha ki ladkiyon ka kya haal hoga (ye ladki Karuna Delhi ko represent kar
rahi hai iske partner ka naam Pawan hai) ye dono se aaj hi hamara intro hua hai
Pawan:- sach yaar kasam se Avantika aur tu dono hi kayamat dhaa rahe ho yaar saala
hume toh koi dekhega bhi nahi

Karuna:- Avantika yar tum dono agar couple nahi hote toh main abhi isse propose kar deti
(aaj subah jab Avantika ne mujhe hug kiya tha tabse sabhi hume couple samjh rahe the)
abhi main kehne hi wala tha ki hum couple nahi hain ki

Avantika:- arre ye sab baatein baad me kare ge abhi chalte hain hum already late hai hum
sab cars me baith nikal pade restaurant ki taraf

Avantika:- wow what a beautiful view jab hum waha pahunche toh Avantika ke mouh se
pehle shabd yahi nikle waise restuarnt tha bhi taarif ke kabil jheel ki side me bana half
covered half open resturant decorations bhi kamal ki thi lawn me ek taraf fountain laga
hua tha dusri taraf kuch guitarist guitar baja rahe the

Director:- welcome every body aayiye aap sab ka hi intezar ho raha hai hume apne apne
partners jo ki by default ban gaye the unke saath pairing me andar jana pada aisa mere
aur Avantika ke liye first time tha hum dono hi thode uncomfortanle the

Director:- ladies & gentleman I proudly present to u the 10 most intelligent students of
our country sabne hamare liye taali bajayi humne bow down karke sabko thanks kaha

Director:- now I would like to introduce the national topper of this years 10th ICSE
examination Vikram Jairaj Singh ab ye mere liye unexpected tha par ab naam le liya hai
toh aage toh jana hi padega naa

Main:- thank you every body for this warm welome isse zyada aur main bolna nahi chahta
tha main wapas peeche jaakar khada ho gaya humare liye ek big round table laga hua tha
hum sab jaakar waha baith gaye hamara dinner ho chuka tha hotel se lekar ab tak main
aur Avantika ek dusre ko chori chori dekhte aa rahe the pata nahi kyu par main usse
dekhne se khud ko rok nahi paa raha tha shayad uska bhi yahi haal tha

Host:- hello every body main Neelam aaj raat ki aapki host aur aapki dost aap sabhi ka
cafe sol me welcome karti hun toh guyz hum sab jante hain ki hamare beech India ke top
ten minds baithe hain par main ye dekhna chahti hun ki kya in minds ke paas dil bhi hai
toh maine kuch task soche hain jinme hamare khaas mehmaan (hum 10) participate kare
ge isse pata chal jayega ki inke dimag jitne hi inke dil bhi strong hain ki nahi hum sab ne
mana kiya par waha ki crowd ne hamare naam ki hooting shuru kardi hamare paas naa ka
option hi nahi bacha
Neelam:- sone pe suhaga ye hai ki luckily hamare paas 5 boys hain aur 5 girls toh task
pairing me hoga aur pairing unhi ke saath aapki hogi jiske saath aap yaha IBI me
participate karne aaye ho so get ready for the first task please bring the guitar

Pawan:- bhai ye kya karane ka soch rahi hai

Main:- ab guitar mangwaya hai toh goli toh chalwayegi nahi dekhta jaa

Neelam:- haan toh girls ka task ye hai ki unhe yaha aakar ek song sunana hai aur boys ka
task hai ki unhe unke partner ke song pe giutar bajana hai aur jo couple iss task ko pura
karega usse ek aur pyara sa task diya jayega ladkiyon ka toh theek tha kyu ki normally
ladkiyan acha hi gaati hai par ladkon ko apna task sunkar hawa nikal gayi par marta kya
na karta Neelam ek ek kar sabhi jodiyon ko bulati rahi aur sabhi ladke apni izzat utarwakar
wapas aate rahe

Pawan:- saala acha khaasa taliyon se swagat hua tha jane ka time hote hote jo izzat kamayi
thi sab utar gayi

Main:- relax veerehar baar acha karna aur jeetna zaroori nahi

Avantika:- apni baari aa gayi issliye chalofirst time the great Vikram ko haarte hue
dekhungi ye aaj first time tha jab Avantika ne mujhse baat ki thi

Main:- (dheere se) hum toh pehle hi haar gaye

Avantika:- kya kaha?

Main:- kuch nahi aap bas apni awaaz sambhaliye aur yaad rakhiye sabse pehle taali bhi
aap hi bajayengi

Avantika:- dekhte hain

Neelam:- dekha ladkiyan ladko se aage hi rehti hain abhi tak ek bhi ladke ne ladkiyon se
better perform nahi kiya hai ab bulate hain hamari last jodi ko Miss Avantika aur Mr
Vikram ko jo hain aamchi Mumbai se give them a big round of aplauds sabne humko wish
kiya aur hum chal pade stage ki orer main guitar lekar ek stool par baith gaya aur Avantika
mere baaju me mike lekar khadi ho gayi fir shuru hua song Avantika ki awaaz bohat achi
thi main bas usse puri tarah feel karke guitar bajaye jaa raha tha jab gaana khatam hua
toh maine aankhen kholi sabhi aankhen faade meri taraf dekh rahe the maine Avantika ki
taraf dekha toh uska bhi wahi haal tha maine usse hilaya toh wo hosh me aayi aur sabse
pehli clapping bhi ussi ne ki aur fir sabne uska saath diya
Neelam:- oh my God what song and I must say what guitar playing man I mean u just
nailed it lag raha tha jaise koi profeesional baja raha hai well aap pehli jodi hain jisne apna
pehla task pura kiya hai but abhi aapka dusra task baaki hai Mr Vikram aapko Miss
Shanaya ke liye ek poetry bolni hogi so are u ready

Main:- do I have an option

Neelam:- bilkul nahi chaliye mahoul ko thoda romantic karte hain lights ko thoda dim
kijiye & can we have a romantic instumental music in the background alright main chali
all the best maine apna haath aage kiya jise Avantika ne pakad liya sharm uske chehre ko
aur khoobsurat bana rahi thi

Avantika:- itna bura bhi nahi hai tabhi door bell baji

Avantika:- ek second aayi Avantika trophy pakad kar kar subah se kuch na kuch soch rahi
thi ye trophy kal raat party me Vikram aur Avantika ko best couple ke liye mili thi puri
mehnat Vikram ne ki thi par trophy madam ne le li abhi inke khayalon ki duniya kuch aur
der chalti par door bell ne inhe asli duniya me laa diya tha Avantika ne jaakar darwaza
khola

Karuna:- kya yaar itni der kaun lagata hai darwaza kholne me Karuna bed par baithti hui
boli

Avantika:- kaha der main toh turant door khola

Karuna:- ye jaldi hai toh late kya hai arre ye toh kal wali trophy hai naa

Avantika:- hmm

Karuna:- yaar kya raat thi na kal aur tu kitni lucky hai ki Vikram tera partner tha kya guitar
bajayi yaar usne aur fir wo poetry haaye meri toh dhadkan hi ruk gayi thi kitna pyar kitna
dard tha uss poetry me Avantika kuch nahi boli bas kuch soch kar muskura rahi thi

Karuna:- oh madam kaha kho gayi aap? kahi Vikram ke khayalon me toh nahi

Avantika:- chup kar kuch bhi bolti hai aur fir shuru hui ladkiyon ki famous pillow fight

Main:- arre ye Karuna ab kaha reh gayi isse Avantika ko bulane bheja tha ye kahi aur toh
nahi chali gayi

Pawan:- yaar in ladkiyon ka koi bharosa nahi ruk main dekh kar aata hun kal raat se Pawan
aur Karuna hum dono ke hi ache dost ban gaye the kal party se aate waqt humne aaj kaa
para gliding aur skeeing ka plan banaya tha hum teeno toh time se lobby me aa gaye the
bas Avantika madam late thi humne Karuna ko usse lene bheja tha par wo bhi jaakar
gayab hi ho gayi

Back to heroin:

Pawan:- arre tum dono ye kya kar rahi ho aur Karuna tujhe isse bulane bheja tha aur tu
yaha masti kar rahi hai

Karuna:- oh shit main toh bhul hi gayi thi yaar Avantika chal na hum already late hain

Pawan:- oh late ki raani ab rehene de plan cancel karte hain

Dono:- kyu

Pawan:- aur nahi toh kya yahi tum dono ke chakkar me 11 baj gaye hain jayenge kab aur
aayenge kab

Karuna:- arre toh tujhe kaunsa wapas aakar khaana banana hai

Pawan:- arre kya finals ki prep nahi karunga

Karuna:- tu akela karega kya main bhi toh karungi naa ab bhaaw mat kha chalo turant
nikalte hain Avantika tu ready toh hai naa

Avantika:- haan yaar main ready hun neeche jane hi wali thi ki tu aa gayi

Pawan:- ab aur baaton me time waste mat karo aur chalo neeche

Back to hero:

Main:- aah finally main toh soch raha tha ki kahi maine galat toh nahi suna

Avantika:- kya galat sun liya

Main:- yahi ki plan aaj ka nahi kal ka hai aur main ek din pehle se tum logon ka wait kar
raha hun meri iss baat par ek taraf jahan Pawan hasne laga waha dono ladkiyon ka mouh
ban gaya

Avantika:- bina taana maare tumhara khana hazam nahi hota kya?

Main:- pura bolo naa bina tumhe taana maare nahi hota iss baar Karuna bhi hans di
Avantika kuch bolne hi wali thi ki
Karuna:- arre chhod na yaar chalo jaldi nikalte hain waise bhi skeeing point kafi door hai
maine gaadi pehle hi book kar li thi hum car me baith chal pade skeeing point ki taraf wow
waha pahunckar hum charo ke mouh se yahi nikla nazara hi aisa tha barf ki chadar me
lipti safed vishal kaaye pahad ek taraf skeeing ho raha tha ek taraf para gliding kuch log
bas pics click kar rahe the kuch bas barf ke saath khel rahe the aahhh hum samne ki taraf
dekh hi rahe the ki kuch hamare body se aakar laga maine aur Pawan ne palat kar dekha
toh dono ladkiyan haath me barf ke gole liye khadi thi aur hans rahi thi humne bhi der
nahi ki aur ek ek gola banaya aur dono ki taraf fek diya aur shuru hui barf fek pratiyogita
kuch der tak hum aise hi masti karte rahe

Main:- guyzz ab bas karte hain already ek baj gaye hai char baje ke baad skeeing aur para
gliding band ho jayegi toh chalo pehle dono try kar lete hain fir masti kare ge

Sab:- theek hai

Main:- toh pehle kya karein

Karuna:- pehle para gliding kar lete hai aadhe ghante me khatam ho jayega skeeing toh
mujhe aata hi nahi

Avantika/Pawan:- mujhe bhi nahi

Pawan:- mere paas para gliding ka certificate bhi hai

Main:- mere paas bhi hai acha hai ab hum khud hi kar lenge instructor ki zaroorat nahi hai

Karuna:- aur skeeing?

Main:- mujhe aati hai

Karuna:- great fir pehle para gliding kar lete hain uske baad Vikram hum sabhi ko skeeing
sikhayega

Pawan:- haan ye sahi rahega sab iss baat par sahamat the toh hum sidhe paragliding point
pahunche Karuna aur Pawan ek glider me set ho gaye bache hum dono

Main:- agar tum chaho toh instructar ke saath chali jao main second round me chala
jaunga jab hum dono ko suit up kiya jaa raha tha Avantika ki body aage se mujhse chipki
hui thi wo thoda aage hone ki kosish kar rahi thi toh mujhe laga shayad mere saath wo
comfortable feel nahi kar rahi hogi

Avantika:- no its ok
Main:- arre toh fir aage mat jao naa saftety measures ko nuksaan hoga Avantika wapas
peeche aakar mujhse chipak gayi mujhe uske badan ki khushboo apne andar tak mehsoos
ho rahi thi

Instructor:- r u ready to go sir instructor ki awaaz se mujhe hosh aaya

Main:- alright then Avantika on my count 3-2-1 go hum doud pade apne take off point ki
taraf

Main:- yahooo wow kya nazara hai yaar haina Avantika maine Avantika ki taraf dekha toh
meri hasi chhut gayi wo aankhen band kiye hue thi

Main:- ohh come on yaar aankhe kholo ek ek second keemti hai dekho toh sahi neeche
ke iss nazare ko Avantika ne dheere se apni aankhen kholi aur jab neecha ka nazara uske
aankhon ke saamne aaya toh uske mouh se bhi nikal gaya wooww nazara tha hi itna
khoosurat hume pura pahad dikh raha tha thodi thodi doori par ped jinho ne barf ke kapde
odhe hue the neeche saare log kitne chhote dikh rahe the aisa lag raha tha tha maano
hawa hame apne saath bahate chali ja rahi hai

Main:- toh maza aaya kareeb 15 mins ke baad jab hum land hue toh maine Avantika se
pucha

Avantika:- bohat zyada pata hai jab hum takoff ke liye kude toh mujhe laga hum neeche
girne wale hain issliye maine aankhen band kar li par jab khudko Aakash me dekha toh
aisa laga main ud rahi hun wow maza aa gaya chalo naa fir se karte hain

Main:- arre abhi skeeing bhi bachi hai usse karke agar time bachega toh fir kar lenge

Pawan:- haash maza aa gaya yaar tum dono ka kaisa raha abhi hum skeeing point par jaa
hi rahe the ki Karuna aur Pawan aa gaye

Main:- theek tha

Avantika:- theek arre best tha maza aa gaya

Karuna:- mujhe bhi

Main:- baki ki discussion baad me kare pehle skeeing point chalte hain

Pawan:- haan yaar waha bheed bhi zyada hai chalo chalte hain hum sab skeeing point ki
taraf chal pade

Pawan:- yaar Vikram sab se pehle tum kar ke dikhao uske baad hume batana
Main:- ok maine ek snow board aur baaki equipments liye aur chal pada downhill skeeing
ke liye tayar hone

Main:- ready guyzzzz main skeeing ke liye ready tha ek jhatke ke saath maine poles ko
barf me gada aur sliding start ki

Pawan:- wow yaar ye toh kamal ki skeeing karta hai

Karuna:- aisa kuch hai bhi jo ye nahi janta ho Avantika bas mujhe skeeing karte dekh
muskura rahi thi

Karuna:- oye hoye mehboob ki taarif me maashookh ka muskurana toh dekho nazar na
lag jaye kisiki

Avantika:- chup be kuch bhi bolti hai

Karuna:- sach yaar main toh kehti hun usse propose kardekahi koi aur na le ude aisa dusra
piece nahi hoga aur kahi Avantika Karuna ki baat par sharma gayi

Karuna:- aaye haaye ye tera sharmana aise hi ek baar Vikram ke saamne sharmana wo hi
tujhe propoe kar dega

Main:- haash maza aa gaya main slide karte hue thek Karuna aur Avantika ke saamne ruka
dono hi hadbada gaye

Karuna:- tu bhi naa hume lag jati toh

Main:- aise kaise lag jati chalo ab tumhari baari fir teeno skeeing ke liye ready hue

Main:- ready guys dekho zyada mushkil nahi hai apna balance banaye rakho pressure aage
ki taraf rakh kar khud ko push karte jao ek baar board friction pakad le toh bas apna
balance banaye rakhna

Pawan:- aur rukne ke liye

Main:- bhai pehle chalu toh kar teeno lag gaye skeeing try karne me par baar baar balance
bigad jata aur gir jaate Pawan aur Karuna toh bas masti kiye jaa rahe the wahi Avantika
seriously koshish kar rahi thi aur thoda thoda kar bhi le rahi thi main bhi Pawan aur Karuna
ke saath masti karne lag gaya

Pawan:- abbe wo dekh aahh humne palat kar dekha toh Avantika thodi door giri hui thi
main bhi bhaaga uski taraf Pawan aur Karuna boards pehene hue the toh wo dono dheere
dheere pahunche hua ye ki hum teeno toh apne dhun me lage hue the par Avantika
skeeing karte hue thoda aage nikal gayi thi uske saamne pressure dene ki wajah se uske
aage ki barf dabne lagi aur wo fisal ke gir gayi

Main:- are u alright Avantika ro kyu rahi ho kaha lagi Avantika ne pair ki taraf ishara kiya

Main:- hilna mat main tumhare equipments nikal deta hun maine dheere se uske saare
pehne hue equipments utar diye tab tak ye dono bhi aa chuke the

Karuna:- are u alright babes

Main:- yaar ye sab baad me Avantika tum chal sakti ho Avantika ko maine sahara dekar
uthaya par wo fir ladkhada gayi

Avantika:- ouch bohat dard ho raha hai uski aankhon me aansu aa gaye

Main:- tum tension mat lo theek ho jayega acha main tumhe utha sakta hun I mean tum
chal nahi paogi toh Avantika ne haan me sir hilaya wo iss waqt bohat maasum dikh rahi
thi main ek pal ke liye uske chehre me kho gaya

Karuna:- kya hua yaar utha naa barf me usse thand lag rahi hogi main bhi hosh me aaye
Avantika ne mera usse ghurna note kar liya tha itni dard me bhi wo sharmane lagi maine
usse godh me uthaya aur chal pada pure raaste Avantika mujhe aur main Avantika ko
dekhte rahe ab thakan aur wazan ka toh mujhse naata toot chuka tha maine usse sidhe
car me hi bithaya

Pawan:- oh kamaal kar ditta paa ji tussi itni door bina ek baar bhi ruke bina thake usse
uthake le aaye waah maanna padega

Main:- abbe noutanki chhod abhi bhi usse dard hai chal jadi hotel chalke Dr ko bhi bulana
hai

Wahi dusri taraf:

door jungle ke beech ek gufa ke andar ek Baba baithe the jinka pura sharir mitti me dhak
chuka tha par unke chehre ke tej me koi fark nahi aaya tha sadiyon se jis chehre par halki
si hulchal bhi nahi aayi thi aaj uss chehre par ek gehri muskaan thi

Back to hero:

Dr:- nothing to worry about bas halki si sprain lag rahi hai 23 din me thek ho jayegi bas iss
pair par zyada pressure mat dena gaadi main baithte hi maine hotel reception me call kar
diya tha aur unhe ek Dr bulane ke liye bhi request kar diya tha
Avantika:- par sir parso hamara competition hai

Dr:- haan koi baat nahi abhi usme 48 hours hai naa tab tak apka pair kafi had tak thek ho
jayega main sahare ke liye ek stick bhijwa dunga

Avantika:- thanks Dr

Dr:- aap inke saath hai naa

Main:- yes Dr

Dr:- aap dekhiyega ki atleat next 24 hours inke pair par zyada pressure na pade after that
she can move around

Main:- ok Dr I’'ll see to it Dr sir saari hidayaten dekar chale gaye

Main:- toh maam 24 hours ke liye hi sahi aapne hume apne khidmat me lagwa diya

Avantika:- arre uski koi zaroorat nahi hai main manage kar lungi

Main:- oye management madam manage main bhi kar sakta hun

Avantika:- aisa kuch the jo great Vikram nahi kar sakte

Main:- yahi ek question hai jiska jawab mujhe nahi pata Avantika ne mujhe ek look diya
fir hum dono hi hans diye fir do din kuch khaas nahi hua Avantika apni saari preps bed par
baithe baithe hi karti rahi aur main jitna ban saka uski help karta raha main jab bhi usse
sahara deta ya uske kareeb jata wo sharma jati aur meri haaye nikal jati

Wahi dusri taraf:

Anjali:- kya hua mouh fulakar kyu baitha hai

Ronit:- toh aur kaise baithunkamina jab se gaya haibas ek baar hi baat hui hai to din se
call kar raha hun par baad me baat karta hun bolke kaat deta hai aur fir lagata bhi nahi
Ronit aur Anjali iss waqt school me the aur abhi recess time chal raha tha dono bahar ek
ped ke neeche baith kar baat kar rahe the

Anjali:- haan yaar call toh maine bhi kiya tha mujhe bhi baad me baat karta hun keh kar
hang up kar diya aur fir call bhi nahi kiya khair chhod jab aayega tab batayenge ussewaise
bhi kal uska final hai parso toh wapas aa hi raha hai

Ronit:- aane de saale ko taange tod dunga Back to hero:

Main:- so ready
Avantika:- totally

Main:- arre kya baat hai aaj toh badi confident dikh rahi ho

Avantika:- haan preps ache se hue hain

Main:- par mere toh nahi hue

Avantika:- haha very funny tumhari preps hamesha pakki hoti hai itna toh main samjh hi
chuki hun

Main:- acha

Avantika:- bilkul hum dono ek dusre ki aankhon me hi dekh rahe the

Volunteer:- chaliye saare participents ko andar bula rahe hain hum dono iss awaaz se
hadbada gaye

Main:- haan kya acha thek hai hum aate hainn meri hadbadhat dekh kar Avantika ke
chehre par ek sharm bhari muskurahat aa gayi finally wo lamha aa chuka tha jiske liye
hum yaha aaye the

Finals of IBI

Hum dono volunteer ke peeche peeche andar gaye baaki teams bhi aa chuki thi hum
jaakar apni jagah par baith gaye

Presenter:- so finally the day of judgement has come right toh chaliye without any futher
due ye final competitition start karte hain aaj ke competition ko teen alag alag quiz me
baata gaya hai 1st science iss catagory me aapko 5 sawal puche jayenge aapke saamne
buzzer hai sahi jawab pata hone par aap wo buzzer dabayenge jo sabse pehle buzzer
dabayega wo jawab dega har sahi jawab par aapko 5 points milenge 2nd history drill same
hai 5 sawal puche jayenge par iss category ke har sahi jawab par 10 points milenge aur
aakhri catagory well wo toh ek secret hai jiske bare me mujhe bhi nahi pata aap pehle in
to categories ko paar kijiye fir sabko pata chal jayega so lets start the game maine aur
Avantika ne ek dusre ko all the best kaha (baaki charon teams ko main ABCD teams
kahuga)

Presenter:- the first question iss what does a mano meter measure? Avantika ne buzzer
daba diya the pressure of a closed system

Presenter:- absolutely right 5 points to Maharashtra


Presenter:- 2nd question how many separate patents did Thomas Edison file? iss baar bhi
buzzer Avantika ne hi bajaya 10931

Presenter:- excellent Maharastra 3rd question what does the Scoville heat unit scale
measure? aur iss baar bhi hamari madam ne buzzer dabaya the heat of chilies

Presenter:- wow great going Maharashtra come on teams buck up 4 th question what is
Xylem? presenter ke buck up ka koi faayda nahi hua hamari madam ne hi buzzer dabaya
the hollow woody tissue in plants that carries water and minerals from the roots
throughout the entire plant

Presenter:- bilkul sahi iss round ka aakhri question what iss the scientific name of a Sydney
Blue Gum? jab for answers hamari Avantika madam ne diya hai toh aakhri kyu koi aur de
eucalyptus saligna

Presenter:- extra ordinary Maharashtra ne paanchon sawalon ka sahi jawab diya hai unke
points hue 25 rest 00 par abhi bhi do rounds baaki hain aapke paas mouka hai aage
badhne ka fir shuru hua history round jisme baaki teams ne sahi jawab diye hamari
Avantika mada history me thodi weak thi

Avantika:- tumne abhi tak ek bhi jawab nahi diye

Main:- arre kaha toh tha meri prep nahi hui hai waise bhi abhi aakhri round baaki hai

Avantika:- tum toh aise bol rahe ho jaise jo bhi question aayega sabka jawab tumhe pehle
se pata hai questions tough hote jaa rahe hain aur aakhri round kis chiz par based hoga
ye bhi ab tak nahi pata

Presenter:- guyzz so now I would like to call on stage the Director of ICSE board aapke
aakhri round ke sawal yahi puchenge best of luck

Director:- hum India me rehte hain aap sab softwares hardwares literature sabse waakif
hain par hamara desh jahan har dharm khul kar saans leta hai usse kitna jante hai main
ye dekhna chahta hun so my first question is

Director:- imaan faith kya hai? par kisine buzzer nahi dabaya maine sab ki taraf dekha aur
buzzer daba diya sabke chehre meri taraf ghum gaye apne dil par bharosa karna zubaan
kholkar galti maanna aur apne sharir ke har hisse se sacha kaam karna

Director:- abolutely right second qustion dharam granth vedh hain ya puran maine buzzer
daba diya
Main:- vedo ki maane ya purano ki hindu dharm ka ek maatr granth hai vedh vedo ke
chaar prakaar hai Righ Yaju Saam Atharv mahabharat me bhi Shri krishna ne Arjun ko yahi
sikhaya tha

Director:- superb 3rd question vand chakko kirat karo naam japna iska matlab kya hai? iss
baar maine wait kiya kuch der par jab kisine buzzer nahi dabaya toh maine daba diya

Main:- Vand chakko: apni aamdani badhao apne se kam aur piche logon ki dil se madad
karo bhale wo paise se ho ya khaane se kirat karo: jo bhi kaam karo sachi lagan se aur puri
imaandari se karo naam japna: dhayan me rehkar pure din apne Prabhu ka naam japo koi
bhi kaam karo Prabhu ka naam lekar hi karo sabhi mere jawab sunkar surprised the
Avantika toh aankhen faade mujhe dekh rahi thi

Director:- brilliant 4th question Bible ke hissab se Kingdom of Heaven me kaun jaa sakta
hai? maine fir buzzer dabaya

Main:- jiska dil bache jaisa ho bilkul nishchhal aur nishkapat

Director:- wow Vikram hands down my boy waise toh aap jeet chuke hain par ek aakhri
sawal jo main sirf aapse puchna chahunga par bata dun iss sawal ka jawab kisi book me
nahi likha

Main:- sure sir I"ll try

Director:- Bhagwaan kya hai? ek sentence me batayiye

Main:- taakat aur kamzori

Director:- elaborate

Main:- main ye kar lunga aye khuda tu mere saath rehna isme khuda taaqat hai pura hall
taliyon se gunj utha

Presentor:- so without a debate iss saal IBI ke winners hain Vikram Jairaj Singh & Avantika
Ahuja hum dono stage par gaye jahan hume trophy di gayi

Director:- Avantika u are really a talented girl and u Vikram Jairaj Singh what to say about
u kehte hain sabse badi taarif wahi hoti hai jab kehne wala kuch keh hi na paye abhi meri
wahi haalat hai bas aise hi competitions jeetthe jao aur apne mom dad aur country ka
naam roshan karo aur haan ek important baat cafe Sol yaad hai na aap sab kuch raat pehle
gaye the waha IBI winners ke honour me aaj ek party hai thek uss raat ki tarah 8 baje car
aap dono ko lene ke liye pahunch jayegi
Hum dono:- ok sir

Director:- ok then congrats once again see u at the party hum bhi stage se neeche utre
jitne bhi teams aayi thi sabhi ne hame congratulate kiya fir hum wapas hotel ke liye nikal
gaye

On the Way:

Avantika:- pata hai Vikram mujhe shuru se pata tha ki tum brilliant ho par aaj final round
me jis tarah tumne jawab diya hai waise jawab ek billion me koi ek de sakta hai

Main:- kya baat hai apne dushman ki itni taarif

Avantika:- sad hote hue abhi bhi tum mujhe dushman samjhte ho Vikram I swear jo kuch
bhi hua

Main:- hey hey just kidding yaar waise mere dost mujhe Vikram nahi Vj bulate hain
Avantika bas meri baat par muskura di baaton baaton me hotel kab aaya pata hi nahi
chala

Wahi dusri taraf:

St Alfrick:- kya soch rahi ho

St Cecilia:- God ko aaj jis tarike se Vikram ne describe kiya waisa hi kabhi Asmodeus ne
bhi kiya tha

St Alfrick:- ye toh hona hi tha naa dono hi God ke ansh hai

St Cecilia:- Vikram ko puri tarah tayar hona hoga Asmodeus sirf takatwar hi nahi behad
buddhimaan bhi hai

St Sebastain:- maine pehle bhi kaha thain sab me hum kuch nahi kar sakteye kahani khud
apne aap ko likh rahi hai

Back to hero:

Anchor:- so ladies and gentleman aaj hamare beech IBI winners moujud hain aur ye aur
koi nahi hamare last night ke best couple hi hain so give them a big hand hume car lene
thek 8 baje pahunch gayi thi aaj maine aur Avantika ne kuch maching sa pehen liya tha
usne red saaree pehni thi aur maine black shirt blue jeans ke upar red jacket daala hua
tha na main apni nazar Avantika ke upar se hata raha tha aur na wo mujhse hata rahi thi

Anchor:- kyu naa aaj bhi ek game ho jaye sabhi yes yes ki hooting karne lage
Main:- ek second hang on yaar main koi guitar nahi bajane wala na hi koi poetry kahunga

Anchor:- Mr hotty asia kuch nahi karna doston aaj aap dono ko ek romantic number pe
dance karna hai simple

Avantika:- arre main saari me hun isme kaise

Anchor:- arre yaar koi competition thodi hai kuch simple sa hi kar do waise bhi aaj aap
dono itne hot lag rahe ho ki ek dusre ke paas khade bhi hoge toh dance jaisa dikhega so
without wasteing any more time lets play a romantic number maine apna haath badhaya
jise Avantika ne thaam liya hum toh yuhin najane kab tak khade rehte taaliyon ki shor se
hum dono hosh me aaye maine sabko thanks kaha par Avantika itni sharma gayi thi ki
sidhe jaakar apni seat par baith gayi

Anchor:- wow aisa lag hi nahi raha tha jaise performance ho rahi hai aisa lag raha tha jaise
do lovers sach me apna love express kar rahe hain par ek aur request hai plz plz plz mana
mat kijiyega ye meri personal request hai aapse

Main:- bataiye kya karna hoga

Anchor:- bas ek aur poetry plz bas ek main bhi uske bache jaise request karne par hans
diya par abhi tak mere jin aankhon me hasi khushi thi achanak waha dard dikhne laga
resturant ke andar ek gareeb aurat apne saath do chote bachon ke saath aa gayi thi jiska
chehra pura aansuon se bhara hua tha aur wo haath jodkar ek aadmi se kuch keh rahi thi

Aadmi:- arre tera bacha bhuka hai toh main kya karun iyaha ghusi kaise tu upar se mere
shirt ko chhuti hai janti hai kitni mehengi hai ye teri toh mai us aadmi ne uss aurat pe
haath uthaya hi tha itne me uska kisine haath pakad liya usne palat kar dekha toh mujhe
apna haath pakde khada paya uss aadmi ne kuch zor se baat ki thi jiski wajah se sabki
nazare humari taraf ho chuki thi

Main:- waah ye hui na asli mardangi aurat pe haath uthana kyu meri pakad uske haathon
me itni mazboot thi ki usse kafi dard hone laga tha uske upar wo janta tha ki main IBI
winner hun issliye wo aaraam se bola

Aadmi:- arre beta tum in logon ko nahi jante dekho umar hi kya hai iski haath pair bhi sahi
salamat hain fir bhi bheek maang rahi hai aise logon par daya nahi dikhani chahiye tabhi
ek dusra aadmi hamare paas aakar bola

Aadmi 2:- arre beta abhi tum bache ho humne duniya dekhi hai ye log bas sabko bewakoof
banate hain aur kuch nahi in ke liye kya ladna hain toh bhikari hi
Main:- sach kaha uncle hain toh bhikari hi

Avantika:- oh hello kya soch rahe ho? subah se dekh rahi hunkuch khoye hue se ho kahi
kal raat restaurant me jo hua uski wajah se toh

Main:- arre tum bhi kya kya soch rahi ho kal raat koi itni badi baat bhi nahi hui thi

Kal Raat (Part: 1)

jo gareeb aurat kal restuarent me aayi thi usse maine khaana khilwa diya tha khilwane ke
baad:

Main:- ye aapke bache hain?

Aurat:- ji sahab

Main:- sahab mat boliye main bhi aapke bete jaisa hun waise inke pita kaha hain

Aurat:- ek saal pehle nakli sharab peene se unki mout ho gayi

Main:- oh toh aap ne kahi noukri talash karne ki koshish nahi ki

Aurat:- ki thi sahab par yaha insaan ke roop me rakhshash ghumte hain jiske paas bhi
noukri karne jati wo gandi nazro se dekhta tha kaam karane ke bahane mujhe chhute
rehte the par jab main nahi maanti toh mujhe meri rozi bhi nahi dete main aur kya karti
sahab main bhuke mar bhi jaun toh koi baat nahi par bachon ko toh bhuka nahi chhod
sakti naaissliye subah jo kaam mile karti hun aur raat ko bheek maangti hun

Main:- mangti hun nahi thi ye lijiye kuch paise aur main aapko ek adress deta hun ye
Mumbai ka hai yaha aap jaiyeaapke rehne ka aur aap ke bachon ke padhai ka intazaam
ho jayega arre ye kya kar rahi hain aap aurat mere pair chhune ko hui toh maine usse rok
diya

Main:- mere paas hai issliye de raha hun dekhiye raat ko ek baje ki train hai Mumbai ki
aap usime chali jaiye waha jo aadmi milega usse mera naam bata dijiyega Vikram Jairaj
Singh yaad rahega naa

Aurat:- aapka naam kaise bhul sakti hun beta hamesha khush raho

Kal Raat (Part: 1) ends

Main:- uss aurat ki koi tension nahi hai wo ab thek rahegi

Avantika:- wahi toh jab koi tension hi nahi hai toh soch kya rahe ho
Main:- arre kuch nahi yaar bas aaj subah se hi sar main halka dard hai

Avantika:- aur tum mujhe ye ab bata rahe ho flight me baithne ke baad jee haan doston
humara Shimla tour khatam ho chuka aur iss waqt hum wapsi ke liye flight me baith bhi
chuke hain

Main:- kal raat kuch late se neend aayi thi aur aaj morning jaldi uth gaya issliye halka sir
me dard hai aur kuch nahi main ek kaam karta hun kuch der so jata hun

Avantika:- haan tum so jao main landing ke time utha dungi maine apni aankhen band
karli aur kal raat mere saath ghati uss ajeeb ghatna ko yaad karne laga

Kal Raat (Part: 2) aahhh

Main:- ye awaaz kaisi? party se aakar main fresh hokar bathroom se nikla hi tha ki kisi
ladki ki dard bhari awaaz mere kaano me padi

Main:- lagta hai jawani se pehle hi budhapa aa gaya abhi se mere kaan bajne lage aahh
nahi

Main:- arre ye toh sachme kisi ladki ki awaaz hai main apne room ki balcony me gaya aur
apni aankhen tez kar awaaz ki disha me dekhne laga main jis hotel me ruka hua tha wo
Shimla ke aakhri chhor me thi hotel ke peeche se hi ek ghane jungle ki shuruat hoti thi

Main:- ye kya hai aur ye kaise ho sakta hai kuch hi palon me awaaz ka thekana mujhe mil
chuka par do baaton ne mera dimag ghuma diya tha

Pehli:- door tak sunane ke liye mujhe khud hi apni dhwani indriyon ko jagana padta hai
par jo awaaz mere kaano me padi thi wo mujhse kareeb 10 km door se aayi thi aur bina
meri dhwani indriyon ke jaagrit hue mujhe sunayi di thi

Dusri:- jo nazara maine dekha tha wo normal nahi tha ab nazara kya tha ye waha
pahunchke hi aapko batata hun maine ek lambi chalang lagai aur agle hi pal mere pair
zameen par the maine apni manzil ki taraf dekha aur laga di doud ek secondaur main
waha pahunch chuka tha jahan se awaaz aayi thi

Awaaz:- nahi kuch bhi karlo par main apni shakti tumhe nahi dungi

Main:- oh maamu chhod usse dono meri taraf palat gaye

Main:- abbe tumhare chehre kaha hain? mere saamne ka nazara bohat hi ajeeb tha ek
ladki dudh si safed uske upar white dress me zameen par baithi hui thi uske dono haath
kaale mayavi rassiyon se bandhe hue the uske saamne do kaale saaye the jo mujhe pehle
laga tha ki kaale kapde pehne log honge par jab meri awaaz sun wo palte to pata chala
wo insaan nahi kaale parchai the mujhe apne saamne dekh dono saayon ne mere upar
black beam se hamla kiya par main hila nahi wo beam mere aage mere surakhsha kawach
se takrayi aur wapas un dono ko lagi wo dono bhi uss ladki ki tarah bandh gaye

Dono saaye:- aahh nahiii abhi main unke kareeb jane hi wala tha ki mujhe ek aur jhatka
laga thek mere seene ke beech me se ek white roshni nikli aur dono saayon par padi wo
dono cheekhte hue jal gaye wo jahan khade the waha bas unki raakh padi thi par agle hi
pal dono ki rakh ek hokar thodi upar hawa me uth gayi aur raakh ki jagah kaali roshni ne
le li us kaali roshni ke beech me se halki white roshni aa rahi thi wo roshni sidhe meri taraf
badhi par mere surakhsha kawach se takrakar ruk gayipar khatam nahi hui

Main:- ab ye kya bala hai

Awaaz:- usse khudko chunne ki ijazat do ye awaaz meri andar se aayi thi ye mere kitab ki
awaaz thi jab bhi main koi naya mantra sikhta tha toh uska istemaal kaise kaise karna hai
ye awaaz mujhe batati thi aur bhi bohat baatein hamare beech hui thi jinke bare me aapko
baad me pata chalega

Main:- pravesham grahanate (aprrove to enter) agle hi pal mera suraksha kawach gayab
ho gaya aur wo kaali roshni mere andar sama gayi ek second ke liye meri aankhen kaali
ho gayi par agle hi second sab normal ho gaya suraksha kawach wapas mere charon taraf
fail gaya

Awaaz:- ab tum bachav hi nahi aakraman bhi kar sakte ho un do kaale saayon ke marte hi
wo ladki azaad ho chuki thi aur mujhe ek tak dekh rahi thi

Main:- toh madam wo do namune toh nipat gaye aap hi batayiye ye sab kya tha par wo
kuch nahi boli bas mere aage jhuk gayi

Main:- arre arre ye kya kar rahi ho

Ladki:- main ek angel hun dharti me bohat black energy faili hui hai dharti ke har kone me
jaakar usse shudh karne ki zimmedari mujhe di gayi hai isse earth ka balance bana rehta
hai jinhe aap ne maara wo black magic ke desciples hain unhe meri white energy chahiye
thi isse unki shakti kafi badh jati

Main:- arre par aap sar jhukar kyu baat kar rahi hain
Angel:- main Lord of Angels ke saamne kaise sar utha sakti hun wo bas itna bolkar gayab
ho gayi

Main:- Lord of Angels ab ye kya bakar***** hai ab puchun bhi toh kisse madam toh
suspense create kar ke chali gayin chal beta tu bhi nikal le aur main nikal pada apne hotel
ki ore

Kal Raat (Part: 2) ends

Avantika:- utho Vj flight land hone wali hai Avantika ke uthane se meri neend khuli

Avantika:- ab sar dard kaisa hai?

Main:- haan ab theek hai fir kuch khaas na hua hamari flight right time par land hui aur
hum nikal pade bahar ki taraf

Check Out Gate

Avantika:- Vj ek baat kahu plz bura mat maanna

Main:- well ye toh tumhari baat pe depend karta hai naa

Avantika:- I’m serious yaar

Main:- ok ok tell me

Avantika:- hum friends hain agar ye baat hum dono ke beech hi rahe toh theek rahega
please bura mat maanna actually jo hamare familes ke beech hua uske baad agar hum
khul kar milenge toh kuch naya issue khada na ho jaye kya hua kya bura laga?

Main:- nahi yaar infact main bhi yahi soch raha tha

Avantika:- par agar tumse baat karni ho toh

Main:- kaun se zamane me jee rahi ho maam mobile kis din kaam aayenge

Avantika:- par tumhare friends toh har waqt tumhare saath hi rehte hain agar unhone
mera naam tumhare mobile par dekha toh

Main:- arre relax yaar kitna sochti ho main handle kar lunga

Avantika:- mujhe lene aaye honge

Main:- mujhe bhi chalo tum pehle niklo fir main nikalta hun maine aur Avantika ne hug
kiya fir Avantika nikal gayi
Main:- hey guyz idhar main check out point pahuncha toh mujhe Ronit aur Anjali dikh
gaye

Ronit:- aao sarkaar aao

Main:- abbe tujhe kya hua ghusse me dikh raha hai

Ronit:- toh aur kya tera ye sadha sa thobda dekhkar khush ho jaun

Anjali:- itne calls kiye par sir ke paas toh uthane ka time hi nahi hai

Main:- arre yaar tumhe toh pata hai naa kitni badi competition thi kuch karne ka time hi
nahi mil raha tha acha baaki ki baatein baad me karte hain pehle yaha se niklo

Ronit:- abbe saamne media aayi hai tera aur uss kameeni ka interview lene ke liye peeche
se nikalte hain

Main:- haan chalo hum log ghar pahunche dad toh office gaye hue the mom itne din baad
mujhe dekh itni excited ho gayi ki mujhe apna pyar dikhane ke liye jo khilana shuru kiya
ki mat poocho haath jod ke jab maine mana kiya tab jaakar wo ruki

Main:- dad dekhiye main aapke liye kya laya hun raat ko jab dad aaye toh maine unke
saamne apni trophy rakh di

Dad:- I am so proud of u beta sach me I couldnt have asked for a better son

Main:- and I for a better mom and dad aise hi hasi khushi hamare din nikalne lage par
jaisa ki maine kaha hai jo aaram se beete wo hamari zindagi toh ho nahi sakti

Wahi dusri taraf:

Person 1:- kya ye thek rahega

Person 2:- nahi par ye zaroori hai

Person 1:- waise ab tak sab thek hai

Person 2:- bas alert raho aage bhi sab theek hi hoga

Back to hero:

Ronit:- abbe nayi movie lagi hai chalen?

Anjali:- haan yaar waise bhi padh padh ke dimag kharab ho gaya hai chalo movie se mind
fresh ho jayega
Main:- nahi yaar aaj mujhe thoda kaam hai

Ronit:- abbe sunday ko kaisa kaam yaar chal naa maza aayega

Main:- wo toh aayega hi par iss baar jo project mila haimain usme kuch different karna
chahta hun toh mujhe uski preps karne hain

Anjali:- abhi submmision date me pure do mahine hain

Main:- arre yaar bola naa kuch alag socha hai abhi start karunga tab jaakar do mahine me
complete hoga tum log kahi ho ke aa jao

Ronit:- tere bina rehne de mom bua ke yaha jane bol rahi thi wahi chala jata hun

Anjali:- main yaha akele kya karungi chal main bhi chalti hun

Main:- ok then guyz bye have fun aaj competition se aaye mujhe do hafte ho gaye the in
do hafton me main aur Avantika kafi ache dost ban chuke the school me sabke saamne
ek dusre ko hum avoid karte the haan kabhi kabhi aankhon hi aankhon me baat ho jati thi
par school ke bahar hum regularly milte the kabhi mall me toh kabhi coffe house me

Main:- hey whats up haan ready hun kitne baje ok fir main nikalta hun ok bye

Main:- mom main thoda bahar se aata hun

Mom:- ok beta par jaldi aa jana

Main:- ok mom bye

In PVR

Main:- hey kya baat hai bilkul on time maine Avantika ko hug karte hue kaha

Avantika:- bilkul I like to be punctual

Main:- aisa mujhe laga meri sangati ka asar hai

Avantika:- wo bhi hai hum dono hi hans pade

Avantika:- arre tumhe bata nahi sakti kaise nikli hun

Main:- kyu kya hua?

Avantika:- arre ghar me saari girls ne ghumne ka programme bana liya tha le de kar 100
bahane banakar aayi hun
Main:- same here yaar mujhe bhi project ka bahana banana pada Ronit ne bhi hum jo
movie dekhne jaa rahe hain wahi dekhne ka plan bana liya tha

Avantika:- toh chale jaate uske saath

Main:- arre aise kaise aap se promise jo kiya tha aur Vj kabhi apne waade nahi todtakhaas
kar tab jab wo vaada kisi khoobsurat ladki se kiya ho Avantika ne meri aankhon me dekha
jaise kuch talash rahi ho

Main:- yun khade khade puri zindagi nikal jayegi Avantika ne sharmakar apni nazre jhuka
li

Main:- ab aise hi sharmati rahogi toh movie chhut jayegi

Avantika:- oh shit hum already late hain tum na bas baatein karwa lo jaldi chalo warna
ticket nahi milegi hum pahunche tickect counter par as expected housefull thi

Avantika:- dekha maine kaha tha naa ab kya kare ge mujhe ye movie dekhni thi yaar

Main:- toh chalo na dekhte hain maine usse apna phone dikhaya

Avantika:- tumne pehle hi book kar li thi toh pehle kyu nahi bataya

Main:- aise hi surprise kaisa laga?

Avantika:- bohat acha chalo jaldi mujhe beginning miss nahi karni hum andar gaye maine
box ki ticket li thi seats bhi bed jaisi mili

Main:- kuch khaogi aur may be some drinks

Avantika:- nahi interval me fir hamare beech zyada baat nahi hui hum dono movie enjoy
karne lage

In Interval:

Main:- toh maam kya lengi aap?

Avantika:- aann haan ek sweet cornek cheese burger aur ek cold drink pepsi haan

Main:- itna khaati ho jata kaha hai?

Avantika:- kya kaha?

Main:- kuch nahi arre itna sab main akele kaise launga

Avantika:- arre ek tray me aa jayega


Main:- acha aur main main bhi toh apne liye kuch lunga naa ek kaam karo tum bhi saath
chalo

Avantika:- chalo hum food counter pahunche maine order kiya aur jaise hi hum apna
order lekar palte toh shocked rah gaye hum dono ko hi samjh nahi aa raha tha ki ab aage
kya kare kya bolen

Main:- bhai meri baat Ronit ne kuch nahi kaha aur palat gaya

Avantika:- sunn jo tu soch rahi hai waisa Shanaya bhi nahi ruki aur nikal gayi jee haan
doston hamare upar ye double attack hua tha ek taraf Ronit aur Anjali khade the toh dusri
taraf Shanaya aur Vaani

Main:- Avni yaar mujhe jana hoga

Avantika:- mujhe bhi aur kuch baat karne ke liye bacha nahi tha main apne frndz ke
peeche lapka aur Avantika apni sisters ke peeche

Next day in school:

Main:- bhai kal se tujhe mana raha hun ab toh maan jaa aur Anjali tu toh ek baar meri
baat sun le

Shanaya:- pehle tum meri baat ka jawab doge maine saamne dekha Shanaya Vaani aur
Avantika teeno khade the Avantika ka sar neeche tha

Shanaya:- tum dono ko kya laga do hafton se hume tumhari aankh micholi ke bare me
pata nahi chalega Anjali aur Ronit shocked hokar meri taraf dekhne lage

Shanaya:- aur tu Avni behan hai tu meri tune soch bhi kaise liya ki tu mujhse kuch chupa
payegi maine tum dono ke saare messeges padhe hain kal tum dono movie dekhne jane
wale the ye bhi hame pata tha issliye kal humne tujhe outing ka pucha jise tune badi
chalaki se mana kar diya aur tum Mr Vikram apne ghar bulakar mere Mama ji pe haath
uthathe ho humare ghar me ghus kar hamare Dada ji ko girate ho aur ab hamari behan
ko fasa rahe ho

Anjali:- Vj tu hamare saath aisa karega humne socha nahi tha shak toh hume bhi tujh par
ho gaya tha jo har waqt hamare saath rehta tha wo alag rehne ke liye bahane banane laga
tha issliye kal humne tujhse movie ka pucha jab tune mana kiya toh hum bahana banakar
bahar chale gaye jab tu bahar nikla toh hum bhi tere peeche peeche ho liye aur janta hai
hume kya pata chala ek ladki jise tu bas kuch mahino se janta hai wo saalon purane dosti
se badi ho gayi ye bolte bolte Anjali ro padi

Ronit:- mujhe lagta tha ki main tere dosti ke layak nahi hun par ab ek sukoon hai ki main
nahi tu hamare dosti ke layak nahi hai hamare kya tu kisi ke bhi dosti ke layak nahi hai
main bas sar jhukayee khada tha

Vaani:- aur tu isne mere dad pe haath uthaya tha mere dad ki koi ehmiyat nahi hai kya
tere nazro me kaha se hogi jo apne Dada ji ki na hui wo mere dad ki kya hogi chataakk
apne Dada ji ka naam sun Avantika bardasht nahi kar payi aur usne Vaani ko thappad maar
diya

Avantika:- aaj bol diya dobara mat bolna

Shanaya:- bilkul nahi bolenge aaj se tera aur humara rishta khatam

Ronit/Anjali:- hamara bhi khatam sabhi chale gaye aur reh gaye main aur Avantika Wahi
dusri taraf:

Aadmi 1:- iss baar bhi baarish kam ho rahi hai pata nahi faslon ka kya hoga

Aadmi 2:- hmm

Aadmi 1:- kya hua pita ji kya soch rahe hain

Aadmi 2:- soch raha hun hum kya the aur kya ban gaye 500 ekad khet me se bas 10 acre
hi bache hain byaaj me laakhon rupees dete the aaj khud byaaj me paise lene padte hain
najane hume kiski nazar lag gayi

Aadmi 1:- aur kiski pita ji humari buri haalat ka zimmedar ek hi toh hai wo Gulshan Ahuja
aur kaun?

Wahi ghar ke andar

Aurat 1:- maa kab tak inki photo ko dekh dekh kar roti rahogi

Aurat 2:- aur kar bhi kya sakti hun sirf photo hi toh bachi hai mere paas meri bacchi ki uss
aurat ne ek baar aur photo ko chuma aur usse wapas rakh diya arre ye toh photo me jo
ladki thi wo koi aur nahi Menakshi Jairaj Singh thi

Main:- hey guyz whats up? par Ronit aur Anjali ne meri taraf dekha bhi nahi aur aage nikal
gaye main bhi bhagte hue unke aage jaakar khada ho gaya
Main:- guyz please yaar ek mahina guzar gaya hai iss ek mahine me aisa ek din bhi nahi
guzra hai jab maine tumse maafi nahi maangi ab toh maaf kar do yaar

Anjali:- jab tujhe pata hai ki ek mahine me bhi humne tujhe maaf nahi kiya hai toh tujhe
samjh jana chahiye ki hum tujhse baat nahi karna chahte

Main:- Ronit yaar tu toh samjh

Ronit:- dekh tujhe pata hai mera meri zubaan pe control nahi rehta baar baar mere
saamne mat aaya kar kahi kuch ulta sidha bol diya toh fir tujhe bura lag jayega agar wakayi
tujhe hamari fikr hai toh humse door raha kar

Avantika:- hi Vj

Anjali:- lo aa gayi teri best friend ussi se jaakar apna dard baant aur bhagwan ke liye hume
baksh de ye keh dono aage nikal gaye uss din ke jhagde ko aaj ek mahine ho chuke the ab
main aur Avantika openly baat karte the ab chupane ko tha hi kya jinse chupa rahe the
unhone toh sabke saamne hi nanga kar diya tha

Avantika:- kya hua main galat time par aa gayi kya?

Main:- nahi yaar time toh mera galat chal raha hai

Avantika:- chill yaar sab theek ho jayega

Main:- nahi yaar kuch thek nahi hoga and u know what now I also don't give a damn agar
unhe meri zaroorat nahi hai toh mujhe bhi unki koi zaroorat nahi hai

Shanaya:- tumhe kaise kisi ki zaroorat ho sakti hai jiski tumhe zaroorat hai chahat hai wo
toh tumhare paas hi hai humne peeche palat kar dekha toh Vaani aur Shanaya khadi the

Main:- tum main kuch kehta par Avantika ne mera haath daba kar mujhe rok diya

Vaani:- waah bohat yaarana lagta hai bina bole bhi ek dusre ki baatein samjhte hain dono

Avantika:- dekho Vaani Shanaya tum dono apne kaam se kaam rakho toh hi thek rahega
hum baat kare ghume ya kuch bhi kare that's none of your business now f****k off dono
ne hume ek look diya aur class ki taraf nikal gaye

Avantika:- you know what tum sahi ho jab inhe hamari kadar nahi hai toh hum kyu inhe
convince karne me time waste kare Avantika ne mera haath pakda hum dono ne ek dusre
ko dekha aur chal pade class ki taraf
Anjali:- saamne dekh hum dono waise hi haath pakde pakde masti karte hue class me
enter hue the jise dekhkar Ronit Anjali Vaani Shanaya ke chehre tamatar ki tarah laal ho
gaye par humne dhayan nahi diya aur last ki seat par jaakar baith gaye

Peon:- Vikram Avantika aapko Pricipal sir ne bulaya hai abhi hum baithe hi the ki peon aa
gaya hum dono bhi uske peehe peeche chal diye

In Pincipal's office:

Main:- may we come in sir

Principal:- aao bacho have a seat hum dono saamne seats par baith gaye

Principal:- so how are the preparations going on

Main:- great sir every thing is being managed properly

Principal:- great yaad rahe first time hamara school ye contest organize kar raha hai koi
gadbad na ho

Avantika:- you dont worry sir ye contest na sirf hum successfully handle kare ge balki isse
jeetenge bhi

Principal:- that's the spirit toh tum log jao aur saare preps dekho

Hum dono:- ok sir hum dono sir ko wish karke auditorium ki taraf nikal pade actually
hamare school ko iss saal inter school talent hunt prograame organize karne ka mouka
mila hai aur Princi ne ye zimmedari mere aur Avantika ke sar par daal di hai

Wahi dusri taraf:

Aadmi 1:- pita ji maine kuch socha hai

Aadmi 2:- socha hai kis bare me

Aadmi 1:- kaam ke bare me pita ji kab tak hum sirf kheti ke bharose hi chalenge bache bhi
ab bade ho rahe hain kyu na kheti ke saath saath kuch chota mota business kiya jaye

Aadmi 2:- kaisa business? waise bhi beta business karne ke liye paiso ki zaroorat hoti hai
aur tujhe koi tajurba bhi toh nahi hai

Aadmi 1:- pita ji thoda bohat toh pata hai baaki kar kar ke sikh lunga aur rahi paise ki baat
toh pita ji aapke bahu ke zewar hain unko girwi rakhkar paison ka intazaam ho jayega
Aadmi 2:- khamoshh teri himmat kaise hui bahu ke zewar girwi rakhne ke bare me sochne
ki bhi

Wife:- pita ji inhe maine hi bola tha zewar girwi rakhne ke liye abhi pehla aadmi kuch
kehta usse pehle uski wife jo ki dono ki baat sun rahi thi wo aa gayi

Aadmi 2:- par bahu wo zewar tumhari maa ne tumhe diye the

Wife:- pita ji abhi mujhse zyada zaroorat un zewaron ki iss ghar ko hai bachon ko hai abhi
toh wo chote hain par jaise jaise bade honge unki zarooraten bhi badhengi school fees
bhi deni hoti hai agar ye koi naya business start kar len toh shayad hamari maali halat me
sudhar jaye

Aadmi 2:- theek hai bahu agar tumhari marzi hai toh de do isse wo zewar aur sunle toh
raha hai par jetni jaldi ho sake bahu ke zewar chhudwa lena

Aadmi 1:- jee pita ji pita ji main soch raha tha bachon ke readymade kapdo ki choti si
dukan daal lun par yaha paas ke shaharon me zyada rate lagate hain agar main Mumbai
chala jaun toh waha se saste me kapde bhi mil jayenge aur zewaron ke achi keemat bhi
mil jayegi

Aadmi 2:- Mumbai door nahi pad jayega

Aadmi 1:- nahi pita ji ab toh yaha ke sab log wahi se saamaan laate hain kafi sasta padta
hai

Aadmi 2:- theek hai agle hafte nikal jana

Aadmi 1:- thek hai pita ji

Back to hero:

Main:- may I come in sir

Principal:- yes my boy come in so all set for tommorow

Main:- yes sir all set

Principal:- it better be kyu ki specially tumhare liye ye double imp hai ki sab kuch perfect
ho

Main:- specially mere liye kyu sir?

Principal:- do u know iss contest ke chief guest kaun hain?


Main:- how would I know sir

Principal:- your dad

Main:- whattt I mean why my dad?

Principal:- why not him kya tum ye sunke khush nahi ho ki tumhare dad chief guest hain

Main:- khush hun sir bohat khush hun but the thing is ki main ye event manage kar raha
hun sabko lagega maine hi apne dad ko chief guest banane ke liye bola hai

Principal:- jo bhi aisa sochegahe is a fool aur kisi gadhe ki baat ka kya bura manana your
dad is an inspiration for millions wo aaj jis mukaam par hain kitne hain jo waha tak
pahunch paate hain wo bhi apne dum par tum ye sab chhodo bas saari preparations
double check karo dont leave any loose corner

Main:- ok sir main office se bahar nikla toh dekha saamne hi Shanaya Avantika se kuch
baat kar rahi thi kahi Avantika ko firse suna toh nahi rahi hai ye janane ke liye main bhi
unki taraf chal pada

Shanaya:- lo aa gaya yahi puch lo

Main:- kya puchna hai?

Avantika:- Shanaya chahti hai ki uski entry thodi late ho

Main:- hmm thek hai I’ll see what I can do

Anjali:- hamari bhi maine palat kar dekha toh peeche Anjali aur Ronit khade the

Main:- tumhari kya?

Ronit:- hamari entry bhi thoda peeche kar do

Main:- thek hai mujhe ek baar list recheck karni padegi jo ban padega main kar dunga
final list kal prograame se aadhe ghante pehle saare green rooms ke bahar lag jayegi dekh
lena maine bhi sidhe sapat awaaz me jawab diya Avantika chalo audi chalke ek baar saari
preps re check kar lete hain main Avantika ko lekar audi ki taraf chal pada

Wahi dusri taraf:

Aadmi 1:- beta Mumbai bohat bada shehar hai loot paath bhi bohat hoti hai tu kafi saare
zewar lekar bhi jaa raha hai dhayan se
Aadmi 2:- ji pita ji main chowkanna rahunga aadmi to ne apne pita ji aur mom se
aashirwaad liya apni biwi aur bachon se mila aur chal pada Mumbai ke liye jahan usse ek
bohat bada surprise milne wala tha

Back to hero:

Main:- dad this is not fair aap hamare school as chief guest aane wale ho aur aapne mujhe
bataya bhi nahi

Dad:- pehle ye bata tujhe kisne bataya?

Main:- Princi ne

Dad:- arre yaar ye sir bhi koi baat pet me nahi pachti maine socha tha tujhe surprise dunga

Main:- oh mom aap bhi dad ke saath aaoge naa

Mom:- ye bhi koi puchne ki baat hai mera beta perform karne wala hai aur main na aaun
aisa ho sakta hai kya

Main:- kabhi nahi acha mom dad kal mujhe bohat kaam hai toh aaj main jaldi so jata hun
ok then good night

Mom/Dad:- good night son

Next day jo apne saath kuch jhatke lekar aaya tha

Agli subah main daily ki tarah garden me exercise kar ghar jane ke liye nikla hi tha ki mujhe
Ronit aur Anjali dono dikh gaye unhone mujhe aur maine un dono ko avoid kiya aur ghar
ki taraf nikal gaya aur ready hokar neeche hall me aaya

Main:- mom dad main nikal raha hun aap log time se aa jana

Mom/Dad:- ok beta & all the best

Main:- thank you bye

In school:

Avantika:- arre yaar ye lights abhi bhi yahi padi hai inhe uthao aur sabko fit karo we r
running out of time aur ye flowers wala abhi tak kyu nahi aaya usse 10 baje ka time diya
tha naa some body call him plz saare mikes aa gaye ki nahi aur wo dj kitne baje aane wala
hai?

Main:- good morning


Avantika:- hey good morning kab aaye?

Main:- jab tum sab pe bhadak rahi thi

Avantika:- bhadkun nahi toh aur kya karun? last moment me kuch bhi pending nahi rehna
chahiye par yaha toh kuch bhi theek se pura nahi hua

Main:- arre relax yaar dj wale seflower wale se maine baat kar li hai aur decorations ki
chinta mat karo na hi mikes ki sab kuch apni jagah par hai bas ek final baar sabko check
karna hai wo main dekh lunga

Avantika:- haash thanks yaar pata hai maine pehle bhi apne purani school me events
manage kiye hain par ye event itna bada hai ki kuch samjh hi nahi aa raha hai ki kya karun

Main:- arre relax yaar maine kahanaa every thing iss under control

Avantika:- acha Vj I want a favour from u

Main:- haan kaho naa

Avantika:- actually main apne performance wala dress hadbadi me ghar pe hi bhul gayi
hun toh mujhe usse lene ghar jana hoga

Main:- haan toh thek hai naa tum jaomain yaha dekh lunga

Avantika:- nahi actually jab se meri sisters se mera jhagda hua hai main alag car se aati
hun par abhi toh wo car bhi Mama ji ke office chali gayi hogi

Main:- oh toh main tumhe ghar chhod dun

Avantika:- nahi nahi abhi yaha bohat kaam hai main jaa rahi hun toh tumhara rehna imp
hai main taxi lekar chali jaungi par aate waqt mujhe late ho sakta hai toh kya tum mujhe
lene mere ghar aa jaoge

Main:- late kaise? abhi agar tum gayi aur aaram se bhi aayi toh for baje tak aa jaogi

Avantika:- nahi yaar main abhi nahi ja sakti kuch girls hain jinke saath mujhe unke
costumes lene jana hoga aur bhi kai kaam hain kamsekam 3 ghante toh sab kaam khatam
karne me hi lag jayenge waha se main ghar chali jaungi toh late ho jayega naa

Main:- tumhari family bhi toh show dekhne aa rahi hai naa unke saath aa jana

Avantika:- wahi toh main problem hai Mama ji ke saath Vaani aur Shanaya bhi toh
aayenge agar hum saath aaye toh woh pakka mujhe taunt maarne ke chakkar me Mama
ji ke saamne kuch ulta sidha bol dengi tum nahi jante main ek mahine se kaise un sab ke
beech manage kar rahi hun ye bolte bolte Avantika kafi sad ho gayi

Main:- wo wo chill babes hota hai kabhi kabhi ab in sab baaton ke liye mood mat kharab
karo thek hai jab bhi ghar se nikalna ho just give me a call

Avantika:- thanks Vj for understanding acha ab main chalti hun costumes wagairah select
kar ke wahi se ghar nikal jaungi

Main:- cool bye Avantika nikal gayi aur main bhi busy ho gaya Evening time:

Avantika:- ek problem ho gayi hai meri dress meri frnd apne ghar le gayi hai dress lene
uske ghar jana padega iss waqt main Avantika ko pick karne uske ghar ke bahar khada tha
madam bahar aayi aur apne saath ek nayi tension bhi laayi

Main:- Avni hum already late hain ek ghante me show start ho jayega

Avantika:- I know ek kaam karte hain sidhe school hi chalte hain mera performance cancel
kar dete hain

Main:- yaar tum bhi naa chalo baitho aur apni frnd ke ghar ka address batao Avantika jo
kafi sad ho gayi thi meri baat sunkar khush ho gayi

Avantika:- thanks Vj u r the best

Main:- maska baad me lagana already late hain jaldi baitho aur adress batao Avantika
peeche baith gayi maine bike aage badha di wo mujhe raasta batane lagi

Wahi heaven me:

St Cecelia:- ye uska pehli baar hoga kya wo bardaasht kar payega?

St Sebastian:- usse karna hoga ye toh bas shurauat hai

St Cecelia:- ghusse me wo usse kuch kar na de

St Sebastian:- yahi toh uski parikhsha hai kathin se kathin paristithi me dimag ko shant
rakhna bas dekhti jao

Back to hero:

Main:- arre yaar ye tumhare friend ka ghar dusre city me hai kya hum kafi door aa gaye
hain
Avantika:- bas kuch der aur hum Mumbai se bahar highway me aa chuke the aur madam
ki frnd ke ghar ka kuch pata hi nahi tha

Avantika:- yaar ek second gaadi roko toh maine gaadi rok di

Main:- ab kya hua?

Avantika:- usse call karke yahi bula leti hun

Main:- yaar isme aur time lagega

Avantika:- nahi lagega tum bike side me lagao main call karti hun Avantika mobile pakad
kar chalte hue thoda peeche ki taraf chali gayi hum abhi jahan khade the wo jagah pahadi
ko kaat kar U shape me bani thi highway ke side me 20 metre ka khali jagah tha aur uske
aage gehri khai maine bike uss khali jagah par utar di abhi main bike se utarne hi wala tha
ki mujhe kuch cars aur trucks ki awaaz sunayi di maine palat kar dekha toh Avantika mere
saamne khadi muskura rahi thi uske piche line se 6 cars aakar ruki aur cars ke peeche to
trucks main shock me kabhi Avantika ko dekhta toh kabhi un gaadiyon ko par tabhi mujhe
ek jhatka aur laga beech ki do car se kuch jane pehchaane log utre aur Avantika ke paas
aakar khade ho gaye

Gulshan:- mouh band kar lo barkhurdar maut se pehle makkhi kha li toh agle janam me
makkhi ban kar paida hoge iss waqt mere saamne Gulshan Satish Vaani Shanaya Lakhan
sahab aur Avantika madam toh thi hi sab khade the Dada ji ki baat par sab hans diye

Avantika:- kya hua Mr Vj jhatka laga hindustan ke sabse intelligent ladka bewakuf ban
gaya oh so sad

Gulshan:- tujhe kya laga tu mere bete ko maarega hamare ghar me ghuske hamare aadmi
ko maarke hame dhamki dega aur hum chup chaap seh lenge beta ache acho ko sabak
sikhaya hai humne toh tu kya chiz hai

Shanaya:- par aaj ke liye mujhe thoda doubt tha ki Avantika tujhe yaha iss sunsaan jagah
par lane me kamyab hogi par tu toh ek baar me bina aana kaani ke aa gaya apne aap ko
itna hoshiyar samjhne wala itna stupid hoga ye maine socha nahi tha

Avantika:- udasi babes ek ladki ki udasi ye ek aisa hathyar hai jise bade bade nahi bach
sake toh ye kya chiz hai dadu khatam karo isse main isse apne aankhon ke saamne marte
hue dekhna chahti hun

Main:- tumhe lagta hai tum me itni taqat hai ki mujhe maar pao?
Gulshan:- hum jante hain tumhari taqat ko par tum hamari taqat aur dimag dono ko nahi
jante Dada ji ne taali bajayi unke taali bajate hi baaki ke chaar cars ke darwaaze khule aur
unme se kareeb 25 log bahar nikle saale saand the pure ke pure koi bhi 6.5 se kam nahi
tha pure raakhsash lag rahe the

Main:- abbe kya direct sab ke sab Sri Lanka se aa rahe ho

Gulshan:- waah apni mout ko saamne dekh kar bhi mazaak karta hai maanna padega par
ruk abhi baaki hai Dada ji ne ek baar aur taali bajayi aur peeche jo to trucks the unme se
karib 100 log niche utre sab ke haath me chaku talwar aise hi koi na koi hathyar tha

Gulshan:- ab koi dialouge nahi bologe bache Lakhan iska kaam khatam kar sabko unke
thekano par pahuncha dena aur yaad rahe iski maut dardnaak honi chahiye

Lakhan:- aap fikr na kare maalik isse aisi mout dunga ki dobara janam lene se bhi darega

Gulshan:- shabash chalo bachon hum chalte hain

Avantika:- nahi dadu mujhe isse tadapte hue marte hue dekhna hai

Gulshan:- nahi beta ye jagah sunsaan zaroor hai par khuli hui hai yaha agar hum mainse
kisi koi bhi kisine dekh liya toh mushkil ho jayegi aur waise bhi tumhara programme shuru
hone wala hoga hame chalna chahiye iski maut ki khabar kal akhbaar me padh lena

Avantika:- wo kya kehta tha tu Vikram ko dhoka dena na mumkin hai hahaha de diya na
dhoka chal bye fir milenge oopss mera matlab kabhi nahi milenge Avantika aur uski sisters
haste hue car me baith kar nikal gaye

Dusri taraf:

Person 1:- wo abhi tak kaise nahi aaya

Person 2:- aa jayega tension na le

Person 1:- mujhe toh ghabrahat ho rahi hai

Person 2:- arre kuch nahi hoga chal abhi hume bhi bohat saare kaam hain

Wahi car me:

Avantika:- kya dadu mujhe usse marte hue dekhna tha

Vaani/Shanaya:- hume bhi


Dadu:- samjha karo bachon wo Jairaj ka beta hai kisine bhi hum me se kisi ko bhi waha
dekh liya hota toh hum fas jaate tum log toh ab party karo ab school me bhi tumse aage
koi nahi hoga

Avantika:- abhi uske wo dono doston se bhi hissab pura karna hai

Vaani:- toh kar lenge naa unka protector toh ab raha nahi ahhh arre dekh ke kaise chala
raha hai

Driver:- sir maine kuch nahi kiya aisa laga gaadi ko kisine dhakka maara

Dada ji:- dhakka mara kya faltu baat kar raha hai pee rakhi hai kya chal ab dekh ke chala
School:

Avantika:- arre show toh start ho gaya chalo jaldi utro kuch ek ghante ke baad Avantika
aur uski family school pahunche

Shanaya:- arre relax babes hamare performances toh last last me hai

Vaani:- all thanks to Mr Vikram

Avantika:- correction babes late Mr Vikram sabhi haste hue andar ground ki tafarf chal
pade

Avantika:- dadu aap sab show enjoy kijiye hum ready hone contestant zone me jaate hain

Satish:- ok bachon all the best

Dadu:- tension mat lena tum hi jeetoge

Avantika:- jise tension thi wo ab raha hi kaha aur haste hue teeno green room ki taraf chal
diye aur Satish aur Gulshan audience zone ki taraf

Satish:- dad dekho toh marhum Vikram ke dad baithe hain dekho kaise muskura raha hain

Dada ji:- hasne de beta kal se toh rona hi hai dono haste hue apni apni seats par baith
gaye

Green room:

Avantika:- uska toh ho gaya chalo inhe bhi thoda jhatka dete hain

Vaani/Shanaya:- haan chalo

Avantika:- hey guyz whats up? par Ronit aur Anjali ne koi jawab nahi diya
Avantika:- arre ye toh bad manners hain koi greet kare toh kuch toh jawab dena chahiye
naa

Anjali:- lagta hai uss din ki khatirdari bhool gayi hai kahe toh fir se yaad dila den

Avantika:- bachu jis ke dum par tum dono ucchalte the wo toh raha nahi ab tum kuch bhi
nahi kar sakte

Anjali:- nahi raha matlab?

Vaani:- kal ke paper me padh lena

Vaani:- ab ye tension ke maare perform nahi kar payenge ye bolkar teeno hasti hui nikal
gayin wahi stage par performances chalu the kuch der baad ek ke baad ek teeno behno
ke naam announce hue sabse pehle aayi Vaani jisne ek bohat hi acha bollywood style
dance kiya uske baad aayi Shanaya jisne ek semi classical song sunaya aur aakhir me aayi
Miss Avantika jisne pehle semi clasical dance uske baad ek contemporary dance kiya
Avantika ke dance se saare judges aur audience khush ho gaye apna apna performance
pura kar teeno apne family ke paas jaakar baith gaye

Dada ji:- beta tu hi jeetegi dekhna

Anchor:- ladies & gentleman ab sirf to performances baaki hain par hamare last
performers jo ki ek pair hain unhone iss competition se apna naam wapas le liya hai wo
perform toh ab bhi kare ge par bas entertainment ke liye iska matlab hamara agla
performance competion wise hamara final performance hai

Vaani:- dekha maine kaha tha naa ye jo naam wapas lene wale pair hai naa ye Anjali aur
Ronit hi honge

Shanaya:- bechare apna dukhda rote baithe honge teeno zor se hans diye par tabhi anchor
ne kuch aisa bola ki teeno ke sath saath Dada ji aur Satish bhi shocked ho gaye

Anchor:- ladies & gentleman put you hands together for our last performer Vikram Jairaj
Singh aur issi ke saath hui meri entry main waise bhi saare schools me bohat famous tha
aur pichle to saal se iss contest ka winner bhi reh chuka tha mere naam se hooting shuru
ho gayi maine pehle Michael Jackson ka number kiya fir halka sa bollywood aur fir hiphop
aur be boing se apna performance khatam kiya har taraf once more once more ki awaaz
gunj uthi idhar Avantika & family toh ab tak sadme se nahi nikli thi mere dad aur mom bhi
khade hokar taali baja rahe the
Judges:- we are proud to announce the winner of this years talent hunt it's none other
than the last to times winner and including this year a record three times winner Mr
Vikram Jairaj Singh pura ground taaliyon se gunj utha

Main:- thank you every body par abhi ek performance baaki hai main chahta hun please
aap sab apni seats par baith jaiye aur hamara last performance bhi dekhiye please sabhi
apni seats par baith gaye

Anchor:- so please welcome on stage our last performers Anjali & Ronit fir se ek baar
taaliyon ki gadgadahat se pura mahoul jhoom utha aur isse ke beech haste hue to chehre
stage par aaye

Ronit:- waise toh ye kaam hamesha hamara dost karta hai par aaj iss hunar ko hum bhi
aazmana chahte hain hum dono aapke saamne ek poetry kehna chahte hain

Anjali:- actually ye sirf ek poetry nahi hai ye ek sach hai jo hum aap sabhi ke saath share
karna chahte hain yaar ye poetry tere bina complete nahi ho sakti stage pe aaja main
stage ke neeche side me hi khada tha Anjali ke bulane par main unke paas chala gaya hum
teeno ne ek dusre ko hug kiya yaha ye scene dekhkar Avantika & family ke mouh jo already
khule the aur khul gaye

Main:- maine suna hai ki mouh me makhi ghusne se agar makhi ki mout ho jaye toh agle
janam me aap makhi hi banoge jin jin ke mouh khule hain please band kar len sabhi mere
baat par hans diye wahi Gulshan Dada ji ka mouh band ho gaya uske baad hamari
performance shuru hui jis se pura mahoul jhoom utha aur pura ground taaliyon se gunj
utha

Main:- Jordon uncle sabki patti aur haath ki rassiyan khulwaiye

(Jordon: mere dad ke security head mujhe bhi apne bete ki tarah hi maante hain inki mom
American thi aur dad Indian dono hi American spy the jo kisi operation ke dauran maare
gaye kisi zamane me Jordon ek para military officer the par apne short temper hone ki
wajah se unhe force se nikal diya gaya tha ek business tour ke waqt mere dad ki inse
mulakaat hui thi mere dad ko Jordon bohat pasand aaye aur unhone Jordon ko apna
security head banane ka offer diya jo Jordon maan gaye dheere dheere Jordon aur mere
dad me duty ka nahi doston ka rishta ban gaya) Jordon ne apne logon ko ishara kiya kuch
hi der me sabki aankhon se patti aur rassiyan khul gayi

Main:- well well good morning every body iss waqt mere saamne Avantika Shanaya Vaani
Satish aur Dada ji chair se bandhe baithe the patti khulte hi jab sabne apne aankh malkar
saamne dekha toh sabki fat ke chaar ho gayi iss waqt hum ek bohat bade godown ke andar
the ye hamari purani factory the jo kuch mahine pehle jal gaye the factory shift kar di gaye
aur ab iss jagah ko godown me badal diya gaya tha abhi humare aas paas 100 se zyada
haath me guns liye security khadi thi jise dekhkar Avantika & party ki fat gayi thi

Vaani:- hmm kahann hainn Vaani ne darte hue pucha

Main:- shukra manao ki zinda ho

Jordon:- Vicky beta main toh ab bhi kehta hun ki in sab ko thok dete hain Jordon ki baat
sunke sab ki fir se fat gayi par Dada ji himmat karke bole

Dada ji:- hume maarkar tum me se koi bhi bach bhi nahi payega rassi jal gayi par bal nahi
gaya kyu budhau abhi main kuch kehta ki mere piche se aawaaz aayi maine palat kar
dekha toh Ronit aur Anjali aa rahe the

Main:- abbe itni subah subah kyu aa gaye tum dono kal din bhar kaam kiya hai tum dono
ne aaram se rest karke aate naa

Ronit:- chup be hum toh jana hi nahi chahte the teri wajah se chale gaye waise kal raat ko
in sab ke expressions dekhne layak the

1st flashback:

Shanaya:- how iss it possible? ye kaise bach gaya

Vaani:- abbe bachna chhod iske body pe ya face pe ek scrath tak nahi hai

Satish:- main Lakhan ko kab se call kar raha hun par uska phone not reachable bata raha
hai

Avantika:- dadu kya hua aap itne chup kyu hain

Dada ji:- haan kya Dada ji jo ki kisi gehri soch me dube hue the wo Avantika ki awaaz
sunkar apni soch se bahar aaye

Avantika:- kya hua dadu? kya soch rahe hain aap aur ye Vikram kaise bach gaya

Dada ji:- in sab baaton ke liye ye jagah theek nahi chalo ghar chalte hain sabhi uthkar
bahar ki taraf chal diye sabke beech ek khamoshi si chaa gayi thi par parking me unke liye
ek aur shock wait kar raha tha

Dada ji:- kaun ho tum log aur yun hamara rasta rokne ka kya matlab hai abhi Avantika &
family parking me pahunchi thi ki unke saamne 6 log aakar khade ho gaye
Jordon:- chup chaap gaadi me baitiye

Satish:- oye janta hai main chataakk aage Satish don ji kuch bol nahi paye kyu ki Jordon
uncle ka ek bhaari bharkam thappad unke gaal me pada Satish ladkhadakar neeche gir
gaya aur baaki sab dar gaye

Jordon:- chup chaap sab gaadi me baithi ye iss waqt parking puri khaali thi show ka last
segment abhi chalu tha issliye koi bahar nahi aaya tha Dada ji ne idhar udhar dekha

Jordon:- koi faayda nahi aapki security ko mere logon ne hospital pahuncha diya hai bina
naatak kiye gaadi me baithi ye ab in logon ke paas koi option toh bacha nahi thasabhi sar
jhukaaye Jordon ki laayi mini van me baith gaye Jordon uncle sabko yaha le aaye aur raat
se hi saare bandhe pade the

1st flashback ends:

Ronit:- haan toh budhu kya keh rahe the aap? hum bach nahi payenge kisine bhi hume
nahi dekha hai tumko kidnap karte huejis waqt tumhara kidnap huahum maasoom bache
toh stage par the agar hum tum sab ko yahi maar kar gada bhi denatoh bhi kisiko kuch
pata nahi chalega

Main:- Avantika Avantika koi kaise itna na samjh ho sakta hai itne dino se mere saath
rehkar bhi itna samjh nahi aaya ki main tumhari samjh ki aukaad ke bahar hun aur upar
se mere aur mere doston ke upar nazar rakhne ke liye ek mahine se 22 aadmi chhod
rakhen hain tumne meri baat sun Avantika and party fir shocked ho gayi aur mere dost
hans diye

Ronit:- fir bhi bina saamne aaye ye kameena roz humse exercise karwata hai

Main:- chup be jab dekho rote rahega kya hua Dada ji aankhen choti karlo kahi bahar
fenka naa jayen

Dada ji:- tumhe hamare paln ke bare me shuru se pata tha maine muskurakar haan me
gardan hilayi

Dada ji:- kaise

Main:- 7 saal ki umar me tu mandir se chappal churata tha aur unhe jaakar saste me bech
deta tha 10 saal ki umar me tune pocket maarna shuru kiya 14 saal ki umar tak tu apne
area ka sabse bada pocketmaar ban gaya iss beech tu do baar pakda bhi gaya aur baal
sudhar grah me bhi raha par isse tujhe koi fark nahi pada par tujhe aur paise chahiye the
tune kuch ladke apne under rakhe tere dabang nature ki wajah se ladko ko kaam pe
rakhna tere liye koi mushkil baat nahi thi fir tere khurapaati dimag me ek naya idea aaya
tune sattoriyon aur juwariyon ko uchanti me (weekly interest) paise dena shuru kiye
shaitan ke aashirwaad se tera ye naya dhanda bohat jaldi falne fulne laga par teri bhook
nahi mitti tu chahata toh kuch acha sa sharifon wala business start kar sakta tha par
nahikutte ki dum bhi kabhi sidhi hoti hai bhala tujhe ek nayi khurafaat sujhi 20 saal ki umar
me tu alag alag gaon ghumne laga aur finally tujhe ek gaon mil bhi gaya Dhawalgarh ek
aisi jagah jahan uss waqt progress hona shuru hi hua tha tune waha apna dera jama
liyaaur kam byaj ka lalach dekar waha ke bhole bhaale logon ko fasane laga yahi nahitu
unhe naye naye business ideas bhi dene laga guarantee ke tour par tune unki zameene
apne paas girwi rakhni shuru kar di aur fir jaali papers bana ke unse triple byaj maange
laga jo wo nahi chuka sakte the tune uss gaon ke Inspector ko bhi kharid liya taaki gaon
waalo ki complaint darj hi na ho waah shaabash bechare gaon wale karte bhi toh kya karz
chukane ke liye apni hi zameen me tere liye kheti karne lage phir tune unhi zameeno par
sugar mills daal diye arre bhai itni black money ko white bhi toh dikhana hai naa aaj ki
date me hamare desh me jitne bhi bokkies haisatte ke adde haingair kanooni betting
casinos hainunka sirf ek maalik hai aur wo hai golden king Police aur yaha tak ki CBI bhi
kabse iss aadmi ko track karne ki koshish kar rahi hai par unke paas bas iss naam golden
king ko chhodkar aur koi surag nahi hai aaj tak kisine bhi iss aadmi ko nahi dekha aur ye
Golden king aur koi nahi tu hai Mr Gulshan Ahuja sirf Avantika & family hi nahi uss godown
me khada har shaksh aankhen faade mujhe dekh raha tha aur main muskurate hue
Golden king urf Gulshan Ahuja ko jab tumhare jaise leechad aadmi ke bare me itna kuch
pata laga sakta huntoh tum sab ke iss c grade plan ke bare me pata lagana kaun si badi
baat hai

Jordon uncle:- kya sach me yahi hai Golden king jiska logon ne sirf naam suna hai par
dekha kisine nahi

Main:- kya uncle wahi baat repeat kar rahe hain bola naa ye wahi hai Jordon

Jordon:- itni confidential baat tujhe kaise pata

Main:- jise log bada samjhte hain aksar wo bada nahi hota in jaiso ki tabhi tak aukat hai
jab tak inke saamne Vj khada nahi hota

Jordon:- oye shayar ke phupha kam se kam itna toh bata de ki inki planning ke bare me
tum logon ko kaise pata chala? ek mahine se puch raha hun
Main:- arre chill uncle sab batata hun toh Mr Gulshan Ahuja urf Golden king yaar kaisa
naam rakha hai movies bohat dekhte ho kya

Jordon:- abbe tu fir topic se bhatka teri toh

Main:- arre sorry sorry batata hun toh kaha tha main haan Gulshan Ahuja ji kal aap ne
jane se pehle kya dialogue bola tha yaad hai Dada ji ne naa me sar hila diya

Main:- uff masumiyat toh dekho iss dokre tau ki

Avantika:- tamiz se baat karo mere dadu se maine Dada ji ke paas khade mere aadmi ko
ishara kiya chataakk chataakk

Avantika:- daduu Dada ji ke honth fat gaye aur waha se khoon nikalne laga

Main:- itni tamiz kafi hai ya aur doon tamiz se baat karo mere dadu se main isse fati kamiz
na dun tamiz toh bohat door ki baat hai haan toh Mr Gulshan Ahuja aapne kaha tha ki tu
mere ghar me ghuske hume dhamkayega aur hum seh lenge

Jordon:- haan toh iss baat se mere sawal ka kya lena dena hai

Main:- hai wo ye ki jab maine Mr Satish ko uthakar diwal se chipkaya tha wahi just baaju
me ek painting lagi hui hai jiske corners black hai hai ki nahi Gulshan ji Dada ji ne haan me
sar hila diya

Main:- theek ussi waqt maine ek chota par powerful camera uss diwal ke neechli corner
me laga diya ye wahi camera hai uncle jo aap 6 mahine pehle Japan se laaye the yaad hai
naa

Jordon:- haan security measures badhane ke liye aur jisme se ek pichle mahine gayab ho
gaya tha toh wo tu le gaya tha

Main:- jee haan wo cameras ek chote se button ke size ke hote hai jinhe detect karna kafi
mushkil hota hai aur unki viewing aur hearing capacity bohat zyaada hoti hai ek bade se
ghar ke aakhri kone me bhi ki hui baat ye camera apne powerfull hearing censors se detect
kar leta hai mujhe pata tha ki ho toh tum sab kutte ki dum sidhe toh hone se rahe apni
safety rakhni bhi zaroori hai naa aur mere bahar jaate hi

Flashback 2:

Satish:- main iss ladke ko chhodunga nahi


Dada ji:- nahi Satish iss ladke se taaqat se nahi jeeta ja sakta dekha nahi tumne bahar
hamare 20 aadmi khade the Lakhan jaise body guard jise aaj tak koi nahi hara saka iss
ladke ne kuch hi palon me sabko peet daala

Satish:- toh kya hum kuch nahi kare ge

Dada ji:- bilkul kare ge bas sahi waqt ka intezar karo

Flashback ends:

Main:- ye saari baatein main bahar hi khada sun raha tha aur mouka bhi in logon ko jaldi
hi mil gaya

Jordon:- kaise?

Main:- IBI ke zariye Avantika madam ne apne dadu ko phone karke IBI ke bare me bataya
aur fir Dada ji ne master plan banaya

Dada ji:- yahi sahi mouka hai uss ladke se saare hissab clear karne ka

Avantika:- wo kaise dadu

Dada ji:- tumhe uske saath dosti ka naatak karna hoga usse itni close ho jao ki tumhari har
baat wo maane humdard banke usse uske doston se alag kar do phir kare ge uspe hum
aakhri waar

Avantika:- theek hai dadu

Main:- par ye bewakuf nahi jante the ki ye hume nahi hum inhe fasa rahe hain kyu kaisi
rahi?

(aap sab soch rahe honge ki Vikram ne apni shakti ka use kyu nahi kiya darasal mujhe
Anjali aur Ronit ko bhi apne plan me shaamil karna tha shakti ka istemaal karne par unhe
shak ho jata ki mujhe kaise pata chala aur ye shak Gulshan & family ko bhi hota issliye iss
baar maine magic nahi science ko chuna)

Jordon:- waah chote maan gaya tujhe

Anjali:- aur tu Avantika tune socha bhi kaise ki tu hamari dosti tod sakti hai sochti bhi kaise
sache rishte kya hote hain unki ehmiyat kya hoti hai maalum hota toh sochti naa

Ronit:- arre ab inka kya karna hai ye batao?

Jordon:- karna kya hai ya toh jaan se maar dete hain ya haath pair kaat dete hain
Main:- nahi yaar inko maar kar koi faayda nahi aur haath pair kaat bhi denge toh inko
bheek bhi nahi milegi inke paas wo talent bhi nahi hai

Ronit:- toh kya kare

Main:- arre haan yaad aaya tum mera ghamand todna chahti thi na Avantika arre bewakuf
ladki kaha se ghamandi lag gaya main tujhe ghamand ghatiya logon ki nishani hai jo ki tum
log ho aur ghamand kaise toda jata hai ye mujhe achi tarike se pata hai yaar ek movie
dekhi thi maine jisme ek dialogue bohat pasand aaya tha mujhe par saala wo dialogue
villain ka tha aur main toh hero hun

Ronit:- toh kya hua dialogue acha hona chahiye bas

Main:- aisa toh chalo fir hum me se koi bhi inhe haath nahi lagayega fir bhi ye sab royenge

Anjali:- arre waah ye toh mujhe bhi dekhna hai maine apne do aadmiyon ko ishara kiya
dono ne Satish aur Dada ji par pistol taan diya

Avantika/Vaani/ Shanaya:- plz Dada ji ko chhod do plz mere dad ko chhod do ye bolkar
teeno zor zor se rone lagi

Main:- ye hamare nahi tumhare haathon me hai teeno sawal bhari nazro se meri taraf
dekhne lagi

Main:- dono apni belts do maine Ronit aur Jordon uncle se uski belt maangi dono ne bhi
bina sawal puche de di

Main:- haan toh aisa hai ki ye lijiye belts ab aap teeno ko apne pujyaniya pitaji aur apne
Dada ji par ye belt barsaane hain

Teeno:- nahiii hum ye kabhi nahi kare ge

Main:- soch lo ya toh tum teeno inhe belt se maar kar inhe bachaogi ya mere aadmi in
dono ki khopdi khol denge mere aisa kehte hi mere aadmiyon ne dono ke sar par pistol
taan di

Avantika:- plzz aisa mat karo hum kabhi tumhare raaste me nahi aayenge

Main:- babes there are no free lunches in life iss duniya me koi bhi khaana muft nahi hai
keemat toh chukani hi padegi main 3 tak ginunga agar mere 3 bolne tak tum logon ne
maarna shuru nahi kiya toh guyz shoot them 1, to sataaakh satakkh mere teen bolne se
pehle teeno ke belts ghumna shuru ho gaye wo maar bhi rahe the aur ro bhi rahe the
idhar mere aankhon me dard aur hothon par ek fiki si smile thi

Main:- (mann main) kya mila inko ye sab kar ke zillat

Main:- bas mere bolte hi teeno ruk gaye aur apne Dada ji aur dad se gale lag kar rone lage
Dada ji aur Satish ki haalat kharab ho chuki thi jagah jagah se chamdi udhad gayi thi dono
ke hi aankhon me aansu the

Main:- isse kehte hain waar maarne wala bhi roye aur maar khaane wala bhi roye jo
punishment maine di thi wo dekhkar mere dost uncle aur mere aadmi bhi dar gaye the

Main:- uncle in sab ko wapas van me daalo aur inke ghar par fek aao aur tum sab agar
abhi bhi dimag thekane nahi aaya hai toh ek baar aur ulajh kar dekh lena uncle meri bike

Jordon:- haan wo toh maine kal hi mangwa li thi bahar khadi hai

Main:- chalen

Anjali aur Ronit chup chaap mere piche chal diye

On Bike:

Main:- kya hua? itne chup ho dono

Anjali:- kuch zyada nahi ho gaya

Main:- zyada in logon ne najane kitne logo ko maara hai kitni auroton ke ghar ujaade hain
dad ka bhi accident iss Satish ne hi karaya tha ye saza toh kuch bhi nahi hai

Dono:- what uncle ka accident inhone karaya tha aur ye baat tu hame ab bata raha hai

Main:- pehle batata toh tum log apna control kho dete

Ronit:- abbe inhe toh jaan se marwa dena tha

Main:- usse badi saza de di hai maine chill yaar kuch nahi hoga

Anjali:- kal kya kya hua ye bhi nahi bataya tune abhi tak

Main:- ek jagah jana hai hum teeno ko wahi batata hun

Ronit:- kaha jana hai

Main:- chal rahe hai naa wahi bata dunga pehle gahr chalte hain main fresh ho jata hun
fir chalte hain fir hum masti karte hue ghar ki taraf nikal gaye
Menakshi Mansion:

Main:- mom I’ m home

Mom:- aa gaya mera bacha raat ko theek se soya ki nahi

(maine mom ko raat ko call karke bol diya tha ki school ke saare props lautane hain toh
mujhe kafi late ho jayega toh main school ke paas hi ek frnd ka ghar hai wahi so jaunga)

Main:- haan mom acha mom mujhe abhi kahi jana hai

Mom:- abhi toh aaya hai aur abhi jana hai

Main:- kal ka kuch kaam pending hai usse complete karke aata hun

Mom:- thek hai jaa par jaldi aa jana

Main:- thek hai main sidha apne room gaya fresh hokar 15 min me wapas neeche

Dad:- kaha sir

Main:- dad aap aaj office nahi gaye

Dad:- nahi yaar aaj off le liya

Main:- great main kuch kaam se jaa raha hun chalo tum log bye mom bye dad

Mom/Dad:- bye beta

Clinic:

Ronit:- oye hum clinic kyu aaye hain

Main:- andar chal pata chal jayega

Receptionist:- good morning sir how can I help u?

Main:- good morning actually kal main yaha shaam ko kareeb 5 baje ek patient lekar aaya
tha ji main unhe discharge karane aaya hun

Nurse:- oh toh aap hain jo unko laaye the chaliye mere saath jab main receptionist se baat
kar raha tha toh waha ek nurse aayi

Nurse:- wo kafi zid kar rahe hai jane ke liye Dr ne bohat mushkil se unhe convince kiya hai
thodi der rukne ke liye hum bhi nurse ke peeche ho liye
Main:- hello mujhe pehchana aapne? hum ek room ne pahunche jahan wo aadmi baitha
hua tha

Aadmi:- arre tum toh wo kal wale ladke ho naa jise wo log maarne aaye the

Main:- jee par aapne apni zindagi kyu khatre me daali aap toh mujhe jante bhi nahi hain

Aadmi:- jaan toh har kisi ki anmol hi hoti hai naa abhi tumhari umar hi kya hai tumne toh
abhi duniya bhi nahi dekhi mujhe laga tumhari madad karni chahiye toh main aa gaya par
uss aadmi ne mere sar par maara aur main behosh ho gaya fir kya hua hum bache kaise

Main:- sabse pehle thanks aaj kal dusro ke liye apni jaan kaun khatre me daalta hai ye
mere dost hain Anjali aur Ronit dono ne uss aadmi ko hi bola

Main:- tumhe bhi janna hai na ki kal kya hua tha

Dono:- haan

Main:- toh suno

Flashback: 3

Dada ji & family ke jane ke baad

Lakhan:- toh tujhe kaisi mout chahiye?

Main:- hath re ch***iya saale sidha sidha maarna chahiye faltu ki dialouge baazi ab samjh
me aaya filmo me ye climax me jo villain bakwaas karta hai ye idea director ko kaha se
milta hai tum jaise ga**on se meri baatein sun Lakhan ki sulgi wo aage badh hi raha ki
ponponnn bus ki awaaz sun kar ruk gaya hamare saamne ek bus dheere dheere cross kar
rahi thi road par toh trucks khade the toh wo bus jo khaali area tha waha se cut hokar
nikal rahi thi bus toh aage nikal gayi par usme se ek aadmi utar kar hamare paas aane laga

Aadmi:- yaha kya ho raha hai

Lakhan:- tumse matlab? chal nikal yaha se

Aadmi:- taaki tum isse maar do maine dekha tumhare peeche ek gun hai isne kya bigada
hai tumhara jo isse maarna chahte ho arre ye toh ek bacha hai main bhi uss aadmi ko
shock me dekh raha tha yaha 100 se zyada aadmi khade the wo bhi hathyaro ke saath fir
bhi bina dare wo mere liye bus se utar kar un logon se behes kar raha tha

Lakhan:- oh toh tere andar achayi aur samaj seva ka bhoot hai chal pehle teri khatir daari
ho jaye Lakhan ne ek haath ghumakar revolver ke saath uss aadmi ko ek mukka maara uss
aadmi ka sar fat gaya aur ghumta hua meri taraf gira maine usse sambhal liya par wo
behosh ho chuka tha maine usse ye sochkar nahi bachaya ki itni daring se saamne khada
hai toh zaroor koi pahunchi hui chiz hoga par janab toh ek fatke me hi behosh ho gaye par
ek ajeeb baat hui maine jaise hi usse chua mujhe apne andar ek ajeeb kism ki sarsarahat
mehsus hui mujhe aisa laga jaise wo mera apna hai mujhe ab ghussa aane laga maine uss
aadmi ko neeche letaya aur saamne dekha

Main:- ye jitne bhi log yaha moujud hain sab kanoon ki nazar me mar chuke hain haina

Lakhan:- shocked hote hue tujhe kaise maalum

Main:- Jairaj Singh ke bete ko maarne ke liye Gulshan aise logon ko toh layega nahi jinka
kahi se bhi pata lag sake

Lakhan:- waah maanna padega wakayi dimag toh hai tujhme

Main:- jabse meri training puri hui hai maine apni sharirik taaqat puri tarah se kabhi
aazmaaya nahi chalo aaj aazma lete hain

Lakhan:- abbe kya bole jaa raha hai be isse aage wo nahi bol paya main tezi se aage badha
aur uska gala pakad liya aur doudte hue maine Lakhan ko ek car ke bonet ke upar patak
diya bonet pura pichak gaya uss gaadi ke kaanch toot gaye aur saamne ke dono tyres ek
jhatke me alag ho gaye ye sab ek second se bhi kam time me hua tha Lakhan ka kya hua
ye dekhne ka mere paas time nahi tha abhi kisiko kuch samjh aata usse pehle maine dono
tyres jo nikal chuke the unhe uthaya aur do taraf fek diya line se 66 log khade the jab tak
wo kuch dekh paate wo dono tyres jaakar saamne ke ek ek aadmi se takraye dono peeche
ki taraf udte hue gaye aur paachon ko lekar niche gire

Trained commado:- arre kaha gaya tyre lagne se jo log niche gire the unhe dekh jab sab
ne saamne jahan main khada tha waha dekha toh waha koi nahi tha idhar un commandos
ne apne beech me mujhe khade dekha toh hadbada gaye par isse pehle unme se koi kuch
karta mere haath paon 25 baar ghume aur second ke 10we hisse se bhi kam time me main
apni jagah par wapas khada tha baaki ke gunde jo door khade the unhe toh kuch dikha hi
nahi kadakk kkadak aisi 25 baar awaaz hui ek dardnaak awaaz un 25 commandos ke mouh
se nikli aur wo niche ludak gaye ludak issliye gaye kyu ki un sab ke pair toot chuke the
jitne bhi gunde ye dekh rahe the unki haalat kharab ho gayi

Gunda 1:- ye insaan nahi ho sakta kisi insaan me itni taaqat itni tezi nahi ho sakti isse hum
mukabala nahi kar sakte bhaago yaha se wo sab apne hathi yaar chhod bhaagne ko hue
par main unhe bhaagne nahi de sakta tha meri indriyon ne mujhe sabke bare me bata
diya tha wo sab ke sab khooni aur rapist the

Main:- sorry tum nahi jaa sakte maine apne haath failaye uss jagah ke charo taraf aag nikal
aayi wo sabhi uss ke andar fas gaye

Sab:- hume maaf kar do hum ab se koi galat kaam nahi kare ge

Main:- aur ab tak jo kiya hai uska kya main unki taraf bhaaga aur ek ek ko uthakar mere
piche jo khaai thi usme phekne laga wo kareeb sou the par mujhe unsab ko khaai me
fekne ke liye aadhe second se bhi kam waqt laga unsab ko fekne ke baad main wahi baith
gaya ye pehli baar tha jab maine kisiki jaan li thi mujhe ek ajeeb sa dard ho raha tha tabhi
mere andar se aawaaz aayi

Awaaz:- iske bare me ek pal ke liye bhi mat socho tumne 100 ko maara nahi hai balki
hazaron ki zindagi bachayi hai agar tum inko chhod dete toh ye aage chalkar hazaron ko
maarte issliye iske bare me ek pal ke liye bhi mat socho uss awaaz ki baat sun mujhe kafi
acha laga main uss aadmi ke paas gaya jo ab tak behosh tha uske maathe se ab bhi khun
nikal raha tha main chahta toh usse thek kar sakta tha par kuch sochkar nahi kiya maine
yaha aate waqt paas hi ek clinic dekha tha maine usse uthaya aur doud pada clinic ki taraf
kuch hi palon me main clinic ke saamne tha maine usse admit karayaDr ko advance
payment kari aur kal patient ko lene aaunga kehkar bahar aa gaya Avantika logon ko nikle
abhi 10 Minute bhi nahi hua tha maine apne pair zameen par gadaye aur laga di doud
meri doudne ki speed kafi zyada thi itni zyada ki main jiske bhi kareeb se guzarta wo chiz
puri hil jati jab main Avantika ki car ke baaju se nikala toh car mere force ki wajah se
disbalance ho gayi par meri speed itni zyada thi ki main kisiko bhi nahi dikha

Flashback ends :

(par maine in teeno ko ye nahi bataya maine ye bola ki maine back up ke liye Police pehle
se bula li thi jaise hi aapko Lakhan ne maara toh maine bhi Lakhan ko utha ke patak diya
saare gunde meri taraf badh hi rahe the ki thek ussi waqt Police pahonch gayi aur saare
gundo ko arrest kar ke le gayi aap behosh the toh aapko maine ye clinic me chhoda aur
school nikal gaya)

Aadmi:- par wo log tumhare peeche kyu pade hain?

Main:- not that's a long story fir kabhi fursat se aapko batayenge filhal abhi ke liye aap
hamare saath mere ghar chal rahe hain
Aadmi:- tumhare ghar kisliye?

Main:- bas aapne meri khatir apni jaan daav pe lagai issliye

Aadmi:- arre ye toh mera farz tha

Main:- fir bhi aap hamare saath chal rahe hain

Anjali:- haan please chaliye naa

Aadmi:- main yaha kisi kaam se aaya hun aap mujhe apna address bata dijiye main fir
kabhi aa jaunga

Main:- fir kabhi nahi abhi aap iss duniya me jise sabse zyada pyaar karte hain aapko uski
kasam

Aadmi:- arre ye kya kiya tumne thek hai chalo chalte hain

Main:- now thats more like it humne clinic ka bill pay kiya aur nikal pade ghar ki taraf
raaste me maine unhe apne Anjali Ronit aur gharwalon ke bare me bataya bas apni mom
ka naam unhe nahi bataya

Menakshi Mansion:

Main:- mom we are home om jo kitchen me thi meri awaaz sunkar bahar aayi

Mom:- itni der tak kaha ghumte rehte aage wo kuch bol nahi payi hamare saath kisi anjan
shaksh ko dekhkar wo chup ho gayi

Main:- mom inse miliyeye arre maine toh apka naam hi nahi pucha aadmi mom ko et tak
dekhte hue

Aadmi:- ji namaste mera naam Rajendra Sehgal hai

Mom:- aapka ghar kaha hai

Aadmi:- main Dhawalpur ka rehna wala hun mom dhadaam se niche gir gayi unki aankhon
se aansu beh nikle

Main:- mom kya hua hum sab doudte hue mom ke paas pahunche

Anjali:- aunty kya hua aap thek toh hain par mom pathrayi aakhon se ektak Rajendra ko
dekh rahi thi mere hilane se wo hosh me aayi mom uthi aur jaakar Rajendra ko gale laga
liya Rajendra ki aankhon me bhi aansun aa gaye usse bhi mom ka chehra jana pehchaana
sa laga
Mom:- Raju mere bhai main teri didi Minu

Minu:- papa kaise hain? unki tabiyat toh thek hai naa aur maa ye kehte hi mom ke
aankhon se aansu nikal aaye wo aage kuch na bol payin mom Mama ji ko bahot der tak
gale lagakar roti rahi dono ko dekh mere Ronit aur Anjali ke aankhon me bhi aansu aa
gaye the kuch der baad jab dono normal hue toh mom de apne dad aur mom ke bare me
Mama ji se pucha

Mama ji:- papa aur maa dono thek hain di maa toh har waqt aapki photo apne seene se
lagayi rehti hai

Mom:- aur papa kya wo ab tak mujhse naraaz hain

Mama ji:- iss bare me ghar me kabhi baat nahi hoti par mujhe lagta hai maa se zyada papa
aapko yaad karte hain

Mom:- tujhe kaise pata?

Mama ji:- jab bhi papa akele ghar par hote hain aksar tumhari photo ke saamne khade
rehte hain main ek baar ghar par thapar ye baat papa ko pata na thi wo apke taswir ke
saamne khade the unki aankhon me aansu the uske baad kayi baar main jaanbuch kar
bina awaaz ke ghar me ghusa toh har baar unhe aapki photo ke saamne khada paya mom
ke aankhon se ek baar phir aansu nikalne lage

Main:- arre mom mere mama first time ghar aaye hain aur aap hain ki roye jaa rahi hain
aur apne saath mama ko bhi rula rahe ho ye galat baat hai

Mom:- galat baat ruk tujhe batati hun galat kya hai mom apna haath uthakar meri taraf
badhi maine bhi apni aakhen band kar li par mom ne mujhe maara nahi mere maathe ko
chum liya

Mom:- beta jab se tu paida hua hai hame tune sirf khushiyan hi di hai aur aaj toh tune
mujhe meri life ki sabse badi khushi di hai mujhe mere bhai se milakar

Main:- oh come on maine kya kiya ye toh bas ek coincidence tha (jhoot) ab sach toh bata
nahi sakta tha ki kal maine Mama ji ke dimag me ghuskar unke bare me sab pata laga liya

Mom:- arre haan tujhe Raju kaha mila?

Mama ji:- arre kal mera ek chota sa accident ho gaya tha mera bhanja uss waqt wahi par
tha toh isne mujhe ek clinic me bharti karwa diya maine mama ko ghar aane se pehle hi
bata diya tha ki kya bolna hai
Mom:- arre ye tere sir par patti tujhe zyada toh nahi lagi Raju Vicky turant Dr ko call kar
abhi tak bhai se milne ke excitement ke chakkar me mom ka dhayan Mama ji ke sar me
bandhi patti ki taraf nahi gaya tha

Mama ji:- arre main hospital se hi aa raha hun sab kuch thek hai

Dad:- lo bhai hum aa gaye ji aap kaun hall me enter karte hi dad ki nazar Mama ji par padi

Mama ji:- ji main

Mom:- arre aap main soch hi rahi thi ko aapko call karun aur aap aa gaye mama ke kuch
bolne se pehle hi mom bol uthi

Dad:- kya baat hai aaj aap bohat khush lag rahi hain

Mom:- inse miliye aur pehchaniye ki ye kaun hai

Dad:- kaise pehchanu pehli baar dekh raha hun mai par aapki khushi dekhkar lag raha hai
ki ye koi khass hainaur aapki khushi ki wajah bhi yahi hain

Mom:- bilkul theek aur ye mera chota bhai aur aapke saale sahab hain dad mom ki baat
sunkar dad shocked ho gaye

Mama ji:- namaste jiju ye bolte hue Mama ji ne dad ke pair chu liye

Dad:- arre ye kya kar rahe ho saale sahab gale milo dad aur mama gale mile dad ki aankhon
me aansu aa gaye

Mama ji:- kya hua jiju aapki aankh me aansu dad ek fiki muskaan ke saath Rajendra tumhe
toh pata hi hoga ki main ek anath hun kabhi maa baap bhai behan ka pyar nahi mila mujhe
jab Minu se mila socha tha shayadi ke baad uske mom dad mere bhi mom dad ho jayenge
saale ke roop me ek chota bhai mil jayega par tumhare pitaji ne mujhe apnaya hi nahi aaj
pehli baar tumse mil raha hun uss rishte ko mehsoos kar raha hun jise nibhane ki khwahish
barso pehle maine dil ke kisi kone me daba di thi toh ye aansu bhi apne aap hi nikal gaye
dad ki baat sun hum sabhi ke aankhon me aansu aa gaye

Dad:- arre ye toh batao koi mujhe ki achanak hamare saale sahab yaha kaise aa gaye koi
planning kar rakhi thi kya aap sabne mujhe surprise dene ki

Mom:- surprise toh hum sab ko mila hai

Dad:- matlab
Mom:- fir mom ko mama ne ne jo bhi bataya tha wo sab dad ko bata diya par dad
surprised nahi hue balki muskurakar meri taraf dekhne lage main dad ke reaction ko dekh
kar hadbada gaya

Mom:- acha ek baat bataiye aap aaj achanak itni jaldi ghar kaise aa gaye

Dad:- aapke su putr ne hi call karke kaha ki kuch urgent haiturant aa jaiye toh main aa
gaya mom ne fir mera maatha chum liya

Anjali:- aunty uncleaapko nahi lagta ki Mama ji ki aane ki khushi me ek party honi chahiye

Mom/Dad:- bilkul

Mama ji:- arre nahi nahi iski kya zaroorat hai

Mom:- tu chup kar bilkul party hogi

Main:- waise Mama ji aapka Mumbai kaise aana hua

Mama ji:- aise hi chota sa kaam tha ek choti si kapdo ki dukan daalne ki soch raha hun ussi
ke liye yaha se kapde kharidne aaya tha mom Mama ji ki baat sun kar shocked ho gayi

Mom:- choti si dukan par kyu? tujhe kis baat ki kami ho gayi pitaji ke paas toh paiso ki koi
kami nahi hai aur tu toh unka iklouta waris hai fir ye sab Mama ji ne apni nazre nichi kar
li

Mom:- dekh Raju sach sach bata kya hua hai ghar me kuch taklif hai kya? tujhe meri kasam

Mama ji:- didi wo baat ye hai ki

Mom:- kya baat hai bata naa

Mama ji:- didi darasal hamari zamin gaon ke hi ek aadmi ke paas girwi padi hai bas thodi
si zameen hi apni khud ki hai jispe main kheti karta hun par wo kafi nahi hota issliye socha
ki kuch chota mota business kar lun

Mom:- par kaise? aur hamare paas toh paise bhi bohat the wo sab kaha gaye?

Mama ji:- zyada toh mujhe bhi nahi maalum maa ne mujhe itna hi bataya ki papa ko ek
business offer aaya tha jiske liye bohat paiso ki zaroorat thi papa jo byaaj me paise dete
the wo paise aur ghar me jo paise the sab milakar uss business me laga diya fir bhi paise
kam pade toh hamari zameen bhi papa ne girwi rakh di par wo business nahi chal paya
aur pure paise doob gaye mom Mama ji ki baat sunkar bohat udas ho gayi
Main:- Mama ji fir business karne ke liye aapne paise kaha se arrange kiye pata toh mujhe
tha par main chahta tha ki mama khud bataye mere sawal pe mom aur dad bhi mama ki
taraf dekhne lage

Mama ji:- wo maine apne ek dost se udhar liya hai ye bolte waqt Mama ji nazar chura
rahe the jo mom ne dekh liya

Mom:- teri bachpan ki aadat abhi tak nahi gayijhoot bolte waqt nazarein churane ki chal
ab chup chaap sach bata Mama ji kuch bol nahi paye aur ro diye

Mom:- kya hua Raju paiso ke liye tune koi galat raasta toh nahi chuna hai naa dekh sach
bataghabra mat

Mama ji:- nahi didi koi galat raasta nahi chuna hai maine wo darasal baat ye hai ki aapki
bahu ke zewar laya hun unhe girwi rakhkar paise le lunga mom dad dono ko Mama ji ki
baat sunkar bohat dukh hua

Mom:- mera pariwar itni taklif me hai ki meri bahu ke zewar girwi rakhne ki noubat aa
gayi hai aur hume pata bhi nahi ye bolkar mom fir se rone lagi dad ne mom ke kandhe par
haath rakha

Mom:- jee kya hum

Dad:- tension mat lo mom aage kuch bol hi nahi payi dad unki dil ki baat samjh gaye aur
thoda thoda mama ji bhi

Mama ji:- nahi nahi jiju main manage kar lunga

Dad:- chup kar abhi mom kuch kehti usse pehle hi dad bol uthe

Dad:- bhale hi pita ji ne mujhe apna beta nahi maana par maine toh Minu se shayadi karte
hi unhe apna pita maan liya tha aur paas rehkar ya door se pita ki sewa karna zaroorat
padne par unki madad karna har bete ka farz hai mom dad ke gale lag gayi shayadi karne
ke baad jab mom dad nana ji ke saamne gaye thetoh aashirwaad dena toh door ki baat
nana ji ne papa pe haath utha diya tha aur dono ko dhutkaar kar bhaga diya tha uske baad
bhi dad ka nana ji ke prati respect dekhkar mom ko bohat khushi hui thi

Main:- arre ye kya aap log baari baari se ro rahe hoaur kaam toh hota rahega Mama ji first
time ghar aaye hain pehele unhe Mumbai darshan karwate hain shopping karwate hain
baaki sab baad me

Dad:- ye ki na tune pate ki baat


Mom:- haan ye sahi rahega abhi toh dopehar hai shaam ko chalte hai mall wahi se Raju
ke liye shopping bhi kar lenge aur movie bhi dekh lenge Mama ji ka chehra movie ke naam
se khil utha

Dad:- arre begum sahiba ko movie dekhne ka mann tha toh pehle kyu nahi bataya

Mom:- mujhe nahi Raju ko hai usse bachpan se hi movies dekhne ka bohat shouk hai khaas
kar parde par haina Raju Mama ji ne bachon ki tarah haan me sir hila diya jise dekhkar
hum sab hans pade

Mama ji:- arre abhi tak maine apne bhanje se baat hi nahi ki waise Vicky tum kaun se class
me ho?

Main:- 11th me Mama ji

Anjali:- aur aapke ek nahi teen bhanje hain fir dad ne Anjali Ronit unki family aur hamare
relations ke bare me Mama ji ko sab kuch bataya jise sunkar wo bohut khush ho gaye

Main:- acha mom dad aap log baatein kijiye hum mere room me jaa rahe hain

Mom/Dad:- ok beta ab itne saalon ke baad ek behan bhai ka aur ek jija saale ka milan hua
tha baatein toh bohat saari honi hi thi jiska part banne ka mujhe koi shouk nahi tha issliye
main Ronit aur Anjali lo lekar apne room khisak gaya

Wahi dusri taraf:

Dada ji:- bas kar bacha aur kitna royegi iss waqt Dada ji apne kamre me aaram kar rahe
the aur Avantika unke baaju me baith kar ro rahi thi subah jab Dada ji & family ghar
pahunchi toh Dada ji aur Satish ki haalat bohat kharab thi Vaani ne turant call karke apne
family doc ko bula liya tha Anukriti Priyanka ko lekar apne maayke gayi hui thi aur just
abhi abhi pahunchi thi par dono ko hi kisine bhi kuch nahi bataya tha

Avantika:- kya Vikram ne aapke bare me jo bhi kaha wo sab sach hai

Dada ji:- haan beta wo sab sach hai Avantika ki ek baar aur rulayi nikal gayi

Dada ji:- beta plz iss baat ko lekar mujhse naraz mat ho jana

Avantika:- dadu main aapse naraz kaise ho sakti hun par ho sake toh ye sab band kar dijiye

Dada ji:- beta jis mukam par main pahunch chuka hunwaha se wapas nahi aaya jaa sakta
Avantika ne kuch nahi bola aur chup chaap uthkar upar apne kamre ki taraf chal padi
Dada ji:- (mann main) uss ladke ki wajah se meri asliyat jo kisiko bhi nahi pata thi wo mere
potiyon ke saamne aa gayi tu bhi bachega nahi bachetujhe bhi pata chalega ki golden king
se takraane ka kya anjaam hota hai

Wahi upar:

Priyanka:- arre aap log kuch bataoge kis liye chehra suja kar baithe ho abhi koi kuch kehta
usse pehle room khula aur Avantika andar aayi uski aankhen ab bhi bhigi hui thi

Priyanka:- di kya hua aap ro kyu rahi ho

Vaani:- Priyu sawal jawab baad me

Shanaya:- dadu kaise hain

Avantika:- theek hain

Vaani:- babes iss Vikram ka kuch na kuch toh karna hi padega

Priyanka:- arre ab kya kar diya Vikram bhaiya ne

Vaani:- chup kar aur kya tu usse itni respect dekar baat karti hai ye jante hue bhi ki usne
dad par haath uthaya tha

Priyanka:- di please bina baat jane kuch bhi nahi bolna chahiye maine uss raat ko party se
aane ke baad bhi sab sach batane ki koshish ki thi par aap sunne ko ready hi nahi thi
Vikram bhaiya ki koi galti nahi thi

Vaani:- waah apne party me bulakar hamare dad ki insult karta hai aur uski koi galti bhi
nahi hai tu itni dumb kaise ho sakti hai

Avantika:- ek Minute Vaani Priyu uski galti kyu nahi hai jabki tune aur hum sab ne dekha
tha ki usne Mama ji se kitni badtamizi ki thi

Priyanka:- badtamizi nahi ki thi badtamizi ka jawab diya tha

Sab:- matlab

Priyanka:- main uss waqt dad ke body guard ke peeche hi khadi apne ek frnd se baat kar
rahi jab ye sab shuru hua dad Vikram bhaiya ke papa se kisi business ko naa karne ki baat
kar rahe the jab uncle nahi maane toh dad ne uncle ko dhamki di jise Vikram bhaiya ne
bhi sun liya aur wo beech me aa gaye dad ne apne body guards se Vikram bhaiya ko sabak
sikhane ke liye kaha jiske jawab me bhaiya dad ke body guards aur dad se bhide aur tabhi
Avni di aap aaye aur aapne bhaiya ko dad se badtamizi karta soch unpe haath utha diya
ab aap hi bataiye isme Vikram bhaiya ki kya galti agar koi hamare dad ko dhamkayega toh
kya hum bhi Vikram bhaiya ne jo kiya wo nahi kare ge iske baad kisine kuch nahi kaha
pure kamre me khamoshi chaa gayi

Back to hero:

Main:- jo bhi bolna hai inke saamne bolo hum abhi school pahunchte hi the ki hume
surprise dete hue Avantika hamaare paas aayi aur mujhse akele me baat karne ki request
ki

Avantika:- dekho hamare beech jo bhi hua usse badla toh nahi jaa sakta par ab main iss
jhagde ko aur aage nahi le jana chahti

Ronit:- ab ye kya naya drama hai yaar aap hamare saamne aayi hain yahi jhagda badhane
ke liye kafi hai par Avantika ne Ronit se kuch nahi kaha aur meri taraf dekhne lagi

Main:- cool tum apne raaste hum apne chalo guyzz main Ronit aur Anjali ko lekar aage
badh gaya

Anjali:- mujhe toh isme bhi iski koi chaal lagti hai

Main:- agar hogi toh ispe hi bhari padegi ab ye sab chhodo aur Princi ke paas chalo

Ronit:- yaar abhi nahi claass ke baad chalte hain fir kuch khaas nahi hua aaj Avantika &
sisters ne hamari taraf dekha bhi nahi aur rahi hamari baat toh hum toh apne dhun me hi
mast rehte hain

In Principal's office:

Main:- may we come in sir

Principal:- yes come in hum teeno andar chale gaye

Principal:- arre aaj ye trimurti ek saath hamari office me everything all right naa

Main:- yes sir hum toh bas leave ki permission lene aaye the

Principal:- leave teeni ko? what happened? anything serious

Main:- no sir everything iss fine wo actually hum sab meri mom ke hometown jaa rahe
hai kuch din ke liye issliye

Principal:- thek hai par isse tum sabke marks me koi difference nahi aana chahiye ok

Hum teeno:- nahi aayega sir


Principal:- ok then u all can go

Hum teeno:- thanks sir aur khushi khushi office se bahar aakar ghar ke liye nikal gaye ab
hum ne leave kyu liye janene ke liye ek din peeche chalte hain

Small flash back of last night:

Ronit:- toh Mama ji maza aaya hum sab abhi mall se wapas aaye the aaj mom ne Mama ji
nana ji Nima ami aur unke bachon ke liye itni shopping ki hai jitna koi ek saal me bhi na
kare par itne saalon ki doori itna toh banta hai naa aur Mama ji ko shopping karane me
mom se zyada toh dad excited lag rahe the aur lagte bhi kyu nahi wo kehte hain naas aari
khudai ek taraf aur joru ka bhai ek taraf

Mama ji:- bohat maza aaya itna maza toh mujhe apni zindagi me kabhi nahi aaya tha
mama bhi kisi bacche ki tarah bole jise dekhkar hum sab hans diye mom aur dad toh mama
ki khushi dekhkar mama se bhi zyada khush dikh rahe the

Dad:- toh kal party rakhte hain hamare saale sahab ki aane ki khushi me

Mom:- of course yaha hum teeno party ka naam sunkar shor machane lage

Mama ji:- ek second bacho didi jiju main bhi chahta hun ki party ho itne saalon baad jo
hum mile hain uski khushi sabke saath manayi jaye par bina mummy papa ke aapko nahi
lagta ki ye khushi adhuri hai Mama ji ki baat sun mom dad soch me pad gaye aakhir Mama
ji ki baat thi toh sach

Mom:- toh tu hi bata kya chahata hai?

Mama ji:- didi bhale hi akele me par pita ji tumhe yaad toh karte hi hain aur maa ka toh
pucho hi mat toh kyu naa hum sab Dhawalpur chalen aur unhe manaye ek baar wo dono
maan jayen toh party ka kya hai yaha karo ya waha

Mom:- ye itna aasaan bhi nahi hai Raju

Mama ji:- mushkil bhi nahi hai saalon beet gaye didi ab iss doori ko mitane ka waqt aa
gaya hai

Dad:- bilkul aur rahi party ki baat toh wo yahi hogi taaki duniya ko pata chale ki Jairaj Singh
ab anath nahi raha uske bhi mom dad hain ye bolte hue dad ki aankhon me aansu aa gaye

Main:- bilkul dad aur aap mainse koi bhi fikar naa kare nana nani maan jayenge main hun
naa
Mama ji:- acha aur wo tu kaise karega?

Main:- muskurate hue Mama ji abhi tak aapne hume jana nahi Vj jo kehta hai

Ronit/Anjali:- wo ho jata hai

Dad:- saale sahab apne bhanje ko chota mat samjhna iski bas umar kam hai baaki ye hum
sab ka baap hai

Main:- chalo thek hai firkal main jaakar school se leave le lunga hum sab parso morning
niklenge

Ronit/Anjali:- hume bhul gya saale hum bhi jayenge

Dad:- arre beta hum ek do din ke liye nahi jaa rahe hain ho sakta hai hume kuch zyada din
waha rukna pade tumhari padhai ko nuksaan hoga

Ronit:- koi nuksaan nahi hoga aur hum toh jayenge hi warna aap log bhi kahi nahi ja rahe

Anjali:- bilkul London jane se bhi hume rok diya tha aapne par iss baar hum bhi jayenge
matlab jayenge mom dad samjh gaye the ki inhe iss baar taala nahi jaa sakta

Mama ji:- bachon samjho

Mom:- rehne de Raju ye teeno gandhi ji ke teen bandar hain ek jayega toh baaki do bhi
kudenge jane ke liye thek hai teeno leave le lena

Ronit/Anjali:- thanks aunty u r the best Flashback ends:

Menakshi Mansion:

Mom:- Martha dekho kal hum jaa rahe hain ho sakta hai hume wapas aane me thode din
extra lag jayen puri ghar ki zimmedari tumpar hai dhayan dena

Martha:- oh come on maam this iss my job aap sab befikr hokar jaaiye aur enjoy kijiye

Mom:- good phir din bhar kuch khaas na hua mom ne Anjali aur Ronit ke ghar par bhi bata
diya tha ki hum sab jaa rahe hain shaam ko dono pariwaar hamare ghar aaye aur Mama
ji se mile Mama ji hum sab ke beech ka pyaar dekhkar bohat khush ho gaye

Next day:

Main:- mom aur kitne ghante ka safar baaki hai iss waqt raat ke 9 baj rahe the hum aaj
shaam ko ghar se nikle the Dhawalgarh ke liye hum ek mini bus me the jo ki dad ne kal hi
kharid li thi aage aur bhi kaam ayegi soch ke
Mom:- beta kal subah 9-10 baje tak pahunch jayenge

Main:- ok humne dinner ek dhaabe pe kiya aur wapas bus me aakar kuch der gappe
maarte maarte so gaye

Main:- kya hua? gaadi kyu rok di break se lagne wale jhatke se meri neend toot gayi maine
time dekha toh raat ke to baj rahe the maine nazar ghumai toh dekha sab soye hue hai

Driver:- sir saamne road ke beech me koi khada hai

Main:- itni raat ko road ke beech me kaun khada ho gaya chalo main dekhta hun

Driver:- sir ye jagah sunsaan hai road ke dono taraf jungle hai bahar khatra ho sakta hai
aap baithi ye main dekhta hun

Main:- khatra toh aap ke liye bhi ho sakta hai naa aap be fikr rahiye mujhe kuch nahi hoga
maine neeche utarkar jaise hi saamne dekha

Main:- tumm

Wahi heaven me:

St Cecilia:- aakhir wo waqt aa gaya najane kitni sadiyon se wo sab issi pal ke intezar me
the

St Sebastian:- haan bas Vikram me koi galat badlao na aa jaye warna iss bramhaand ko
barbaad hone se koi nahi bacha payega

Main:- tumm saamne wale ke mouh se toh kuch bol hi nahi phut rahe the bas aankhen
fati hui thi waise toh mujhe chowkaana bohat mushkil hai par iss baar main sach me
surprised tha

Main:- hello Avantikaa kaha kho gayi ho jee haan doston ye aur koi nahi hamari priya
Avantika madam hi thi maine usse hilaya tab jaakar usse hosh aaya

Avantika:- tum yaha bhi yaar tum toh meri zindagi me kundali maar kar baith gaye ho

Main:- kundali saanp maarte hain aur saanpo wali peeche se dasne ki fitrat kiski hai ye
tum achi tarah se janti ho

Avantika:- main tumse behes hi kyu karti hun

Main:- behes hi nahi tum mujhse takrati hi kyu ho? aur ek baat batao itni raat gaye
highway me jo ki jungle ke beech hai tum kya koi hawan karne aayi ho?
Avantika:- arre meri gaadi band ho gayi hai ek ghante se yahi fasi hui hun itni der baad ek
gaadi dikhi socha lift le lun par meri futi kismat dekho wo gaadi bhi tumhari nikli

Main:- footi nahi achi kismat bolo waise tumhari gaadi kaha hai?

Avantika:- saamne hi hai

Main:- chalo tumhari gaadi theek karte hain actually hum jahan khade the wo road upside
down thi fil haal hum down me the issliye yaha se aage kya hai wo dikh nahi rahi thi

Avantika:- tumhe gaadi thek karna bhi aata hai?

Main:- maine bande thek kar diye ye gaadi kya chiz hai Avantika meri baat ka matlab
samjh gayi par usne kuch nahi kaha

Main:- kya hua bhai? kya problem aa gayi?

Driver:- samjh nahi aa raha hai sir

Main:- samjh nahi aa raha nayi nayi driving sikhi hai kya

Driver:- nahi sir wo actually iss gaadi ki engine technology bohat alag hai iski wiring samjh
nahi aa rahi

Main:- acha chalo dekhte hain main engine ke paas gaya aur dekhne laga aur kuch hi der
me mujhe fault dikh gaya

Main:- arre iska power socket jam ho gaya hai ye Japenese technology kuch cheeze toh
purani jagah chhodte saamne rakh diya hai power socket jhatkon ki wajah se alag ho gayi
hogi

Driver:- arre haan sir ye toh maine dekha hi nahi par ye thek hona toh bohat mushkil hai
socket ka metal apni jagah se niche gir gaya hai ye kafi tight hota hai isse wapas set karne
ke liye toh alag se machine aati hai ye haathon se nahi hoga

Main:- dekhte hain maine metal ko pakda aur upar kheech kar socket se jod diya

Main:- lo ho gaya start karo par jab maine driver ki taraf dekha toh mujhe hasi aa gayi wo
bechara mouh faade dekh raha tha

Main:- kya hua start karke dekhiye

Driver:- ye aapne kaise kiya?

Avantika:- kyu kya hua?


Driver:- sir ne haath se hi metal khich kar laga diya

Main:- bhai ye sab baad me sochna raat ka waqt hai hum jungle ke beech me hain zyada
der tak yaha khada hona safe nahi hai tum log jaldi niklo driver ne gaadi ka starting button
dabaya gaadi turant start ho gayi Avantika fir se mujhe shocking looks de rahi thi

Main:- aadat daal lo madam kab tak shock hoti rahogi ye bol muskurate hue main apni
gaadi ki taraf badh gaya

Avantika:- thanks jab main uske baaju se nikla toh madam ne kaha par maine koi reaction
nahi diya aur aage badh gaya

Avantika:- akdu

Main:- chalo bhaiya badhao aage gaadi maine apne bus me chadh driver se kaha driver
ne gaadi aage badhadi

Dhawalgarh:

ek aisa gaav jise asal me gaanv keh nahi sakte kyu ki Dhawalgarh se lagkar kul 30 gaav
hain jo isse ke bohat bada district banati hain hamare desh ki cultural aur prachin
khoobsurti ka Dhawalgarh ek jeeta jaagta example hai yaha hazaro saalo pehle bane
monuments hain par ab jagah bhi samay ke saath hitech ho chuki hai mana jata hai ki
Dhawalgarh hazaro saal purana nagar hai apna naam isse Dhawali jheel se mila jo ki
Dhawalpur ki pashchimi seema chhor par hai par ab Dhawali jheel jheel nahi rahi balki
geeli meeti se bhari hui bada sa maidan ban chuki hai iske peeche ki kahani aapko thodi
der me pata chal jayega

A/mother:- arre beta tu what a pleasent surprise subah ka waqt hai Avantika just ghar
pahunchi hai gaadi ki awaaz sun Dipti Ahuja (Avantika's mom) saamne darwaze par aayi
apni beti ko dekh unki khushi ka thekana na raha wo jhat se jaakar Avantika ke gale lag
gayi

A/Mom:- arre suniye jii dekhiye Avni aa gayi beta tu akeli aayi hai bina koi security ke aur
hume bataya bhi nahi Dipti ki awaaz sun saare gharwale hall me aa gaye aur apne saamne
Avantika ko dekh sabhi khush bhi hue aur surprised bhi

Dadi:- mera bacha Dadi ji ne Avantika ka maatha chum liya beta akele hi aayi hai Shanaya
nahi aayi fir ek ek karke sabhi same sawal repeat karne lag gaye

A/Mom:- kuch bolegi bhi


Avantika:- kya bolun jab bhi kuch bolne ko hoti hun tabhi aap me se koi na koi fir koi sawal
kar leta hai

Amrita:- chal ab koi kuch nahi puchega tu bata ki itna lamba safar karke tu akeli kyu aayi
aur na hi call karke apne aane ki jaankari di Shanaya ya Vaani ne bhi call nahi kiya

Avantika:- mujhe aap sab ki yaad aa rahi thi toh socha kuch din ke liye ghar aa jaun ab
agar Shanaya bhi saath aati toh notes kaun banata hum padhai me peeche ho jaate kisi
ek kaa rukna zaroori tha issliye Shanaya ko maine rok diya

Dadi:- par beta tu aa rahi hai ye bataya kyu nahi

Avantika:- dadi agar main aako batati ki main akeli aa rahi hun toh aapme se koi bhi raazi
nahi hota isliye maine waha ghar me bhi sabko mana kar diya tha ki mere aane ki baat na
batayen

Mom:- par beta akele aane me risk hai naa

Avantika:- offo mom dekho aapke saamne toh bhali changi khadi hun wo sab chhodiye
aur ye bataiye ki dadu kaha hain

Dadi ji:- wo soye hain kal raat kuch late se soye the issliye abhi tak unki neend nahi khuli
par ek baat bata agar tujhe aana hi tha toh tu kal dadu ke saath hi kyu nahi aayi

Avantika:- dadu jab morning me nikle ussi ke baad mere aane ka zyada mann karne laga
dadu ko call karti toh wo aadhe raste se wapas aa jaate issliye main dusri gaadi lekar aa
gayi ab aap sabke question khatam ho gaye hain toh koi mujhe naashta dega badi zoron
ki bhook lagi hai

Mom:- arre main bhi tu jaakar fresh ho jaa main nashta lagati hun

Avantika:- ok mom Avantika apne room ki taraf chal di

Back to hero:

Mom:- Raju mujhe toh bohat dar lag raha hai pata nahi papa kaise react kare ge? hum iss
waqt Nana ji ke ghar se ek gali door the mom ke bolne par gaadi ko rukwa diya gaya tha

Dad:- yaar dar toh mujhe bhi lag raha hai iss umar me thappad khate hue thodi na acha
lagunga khaas kar ke apne bachon ke saamne par jana toh padega naa

Mama ji:- haan di daro mat zyada se zyada kya hoga daantenge naa sun lena aap hi kya
hum sab sun lenge par aaj unhe mana kar hi rahenge
Main:- yaar ye aap log kya topic le kar baith gaye mom wo aapki mom dad hai maan lo ki
main aap se kai saalon ke liye door ho gaya toh aapko kaisa lagega same feeling unke dil
me bhi hogi toh just relax ok driver uncle gaadi right lijiye Mama ji kaha rokna hai bata
dena driver ne gaadi right ghumali

Mama ji:- bas bas yaha ped ke neeche hi rok do kuch aage jaakar Mama ji ne gaadi rukwa
di hum sab neeche utre

Mama ji:- mere peeche peeche aaiye hum Mama ji ke peeche peeche ghar ki taraf chal
diye mom toh ghabrayi si dad ka haath pakad kar chal rahi thi Mama ji ne bahar jo bada
sa gate tha wo khola aur hum andar chale gaye Nana ji ka ghar same old pushtaini types
bada sa ghar saamne bada sa gate jise cross karke hum andar aaye the andar jahan hum
abhi khade the ye ek bohat bada sa aangan tha jiske right side pe bada sa tabela tha jahan
bohat si gaay aur bhainse bandhi hui thi hum wahi sab dekhte hue aage badh rahe the
Minu hum sab idhar udhar dekh rahe the par iss awaaz se humne saamne ki taraf dekha
ghar ke darwaze par ek old lady khadi thi jinke aankhon me awishwaas ke aansu the ye
meri nani maa thi wo daudte hue aayi aur mom ke gale lag gayin Anuradha mom aur nani
kafi der se ek dusre ke gale lag ro rahe the par ye awaaz sunte hi nani jaise neend se jaagi
aur mom se alag ho gayi ye awaaz mere Nana ji ki thi jinke aankhon me paani par chehre
par ghussa tha

Main:- namaste Nana ji Nana ji ghusse se tez chalte hue mom aur dad ke paas aa hi rahe
the ki main jhat se dad ke saamne aa gaya aur Nana ji ke pair chu liye mere achanak
saamne aane se Nana ji hadbada gaye

Main:- main aapka naati hun Nana ji mere ye bolte hi ek pal ke liye Nana ji ka pura ghussa
utar gaya par dad ko dekhte hi unke chehre par ghussa laut aaya wo kuch kehte usse pehle

Main:- ek second Nana ji pahle meri baat sun lijiye fir aap dad ko ya mom ko jo punishment
dena chahte ho wo de dena Nana ji sawal bhari nazar se mujhe dekhne lage

Ronit:- Anjali se toh uncle se pehle aaj ye pitega

Anjali:- chup kar

Main:- main janta hun aap dad aur mom se bohat naraz hai hona bhi chahiye har papa ki
ye khwahish hoti hai ki unki beti ki shayadi unki marzi se ho par beti ki khwahishon ko
pura karna bhi toh ek pitah ki hi zimmedari hoti hai khaaskar wo zid jo sahi ho I mean aap
khud batayiye kya mere dad me koi kami thi bas ek baat thi ki wo orphan the par kya ye
reason kafi hai mom ko unse alag karne ke liye kya ek acha ladka hona kafi nahi aap ek
baar mom se puchiye shayadi ke itne saalon baad wo khush hain ki nahi pata hai Nana ji
aaj ke youth ki soch itni badal gayi hai ki ab toh zyadatar bache shayadi me believe bhi
nahi karte main abhi chota hunpar main ek din shadi karna chahta hun jante hain kyu dad
ki wajah se jitna pyar aur respect wo mom ki karte hain utni shayad main bhi na kar paaun
kya ye kafi nahi hai

Dad:- sir itne saal meri wajah se aapki beti aapse door rahi please mujhe maaf kar dijiyega
dad ne Nana ji ke saamne haath jodkar ye sab kahanana ji dad ke saamne khade hue aur
chatttaakk

Nana ji:- papa ko sir bolta hai haan ye bolte bolte Nana ji ki awaaz ladkhada gayi Nana ji
ne dad ko gale se laga liya maine bohat kam baar dad ko rote dekha hai par aaj toh unke
aankhon ne sailaab ka rukh le le liya tha

Nana ji:- bas kar mard rote hue ache nahi lagte

Dad:- ro lene do papa aaj ek anath ke sar par baap ke haath ka sookon aaya hai aaj ro lene
do

Nana ji:- chupkar aur ab agar khud ko anath kahanaa toh samjh lena ki main nahi raha

Dad:- nahi nahi aisa kabhi nahi hoga tabhi Nana ji ko apne pair par kisika haath mehsoos
hua Nana ji ne neeche dekha toh mom thi

Mom:- apni gudiya ko bhi maaf kar do papa par Nana ji ne mouh fer liya

Mom:- plz papa ye bolte bolte mom ki rulayi foot padi Nana ji mom ko rote dekh na sake
aur unhone mom ko utha kar gale laga liya

Nana ji:- maine chali jaa bola aur tu chali gayi kya main tujhe daant bhi nahi sakta tha
kitne armaan the mere teri shayadi ke liyewo sab toot gaye thetoh kya main tujhse naraz
bhi nahi ho sakta itne saalon me ek baar bhi tujhe apne maa baap ka khayal nahi aaya ki
wo zinda bhi hai ki nahi

Mom:- aisa mat boliye papa aisa ek din bhi nahi guzra jab aapki yaad nahi aayi par darti
theki mujhe dekhkar aapko ghussa na aa jaye issliye himmat na juta payi yaha aane ki kafi
der tak mom dad pehle nana se phir nani se apne gile shikwe mitate rahepar fir Nana ji ka
dhayan mujhpe gaya

Nana ji:- arre mujhe apne nawase se bhi toh milne do


Nani ji:- hato ji apne naati se pehle main milungi abhi kuch der pehle jahan mahoul kafi
udas sa tha achanak usme ek khushi aa gayi

Nani ji:- mera maatha chumke mera naati dekho toh kitna bada ho gaya hai aur kitna
sundar bhi najane kitno ki nazar lagi hogi ruk main teri nazar utarti hun

Ronit/Anjali:- aur hamari dono ki awaaz sun sabka dhayan dono par gaya

Nana ji:- tum dono bhi mere nawase ho

Dad:- ji pita ji ye mere doston ke bache hain par hamare liye Vikram se kam nahi hai teeno
jigri dost hain

Nana ji:- toh mere nawase ka naam Vikram hai aur mere baaki ke dono nawason ka naam
kya hain nanu mera naam Ronit hai aur mera naam Anjali hai dono ne baari baari Nana ji
ke pair chue

Nani ji:- jeete raho bohat pyaare naam hai nani aarti ka thaal lekar aati hui boli fir baari
baari se hum teeno ki aarti utari gayi maami ji itni der se wahi darwaaze pe khade rehkar
ye sab dekh rahi thi mom ki nazar unpar padi wo maami ji ke paas chali gayi aur jo ek baar
baatein shuru hui toh kuch hi der me dono pakki saheliyon ki tarah ghul mil gayi thi

Mama ji:- waah nawase kya mile mujhe toh sabhi bhul hi gaye Mama ji ki awaaz sun sabka
dhayan unpar gaya

Nani ji:- arre Raju tu in logon ke saath aur ye tere sar par kya hua hai? Mama ji ke sar ki
patti toh hath gayi thi par handiplast laga hua tha

Mom:- arre issi ki wajah se toh hum yaha aa paye

Nana/Nani:- matlab? fir mom ne jo unhe pata tha ki hum Mama ji se kaise mile wo sab
nana nani ko bata diya Mama ji ke accident ki baat sunkar wo sab ghabra gaye the par
hamare batane par ki kuch bhi serous nahi tha shaant ho gaye

Nana ji:- mera nawasa toh bohat nek dil hai anjaan logon ki bhi madad karta hai shabash
beta

Main:- nanu mere bhai behan kaha hain?

Nana ji:- beta wo toh school gayen hain 12 baje aa jayenge tab mil lena

Nani ji:- haan abhi toh chalo sab naha dho kar fresh ho jao fir main nashta lagati hun

Ronit:- haan aaj toh Nani ji ke haath ka bana khaa kar maza aa jayega
Main:- oye bhukkad bas khana dikhna chahiye tujhe maza aa hi jata hai

Nani ji:- chup kar main mere bache ko apne haathon se khilaungi jahan meri baat sunkar
Ronit maharaj ka mouh tedha ho gaya tha wahi nani ji ki baat sunkar banda khush ho gaya
fir hum aise hi haste baat karte hue ghar andar chale gaye

Chaliye sabka thoda Intro ho jaye:

Nana ji: Amrish Sehgal mijaz ke sakht par dil ke ache hai ek zamane me khandani rahis the
par ab middle claas reh gaye hain

Nani ji: Anuradha Sehgal puja paath me vishwas rakhne wali ek simple si grahani jitna hai
utne me hi ye santosh rakhne wali mahila hain

Mama ji: Rajendra Sehgal waise toh graduate hain par kheti baadi karte hain ek loute lake
jo hain nature ke ekdum simple bhole bhaale se

Mami ji: Swati Sehgal bohat hi khubsoorat par simple lady apne pariwar se bohat pyaar
karti hain

Komal Sehgal: Mama ji ki beti: 6th me hai bohat hi cute aur shararti hai

Aaditya Sehgal:- Mama ji ka beta 4th me hai thoda chubby hai Mama ji ki hi tarah bhola
bhaala aur simple hai

Dusri taraf:

Dada ji:- beta yun akele itna lamba safar karna theek nahi hai Dada ji ko jaise hi pata chala
ki Avantika ghar aayi hai wo usse milne uske room pahunch gaye

Avantika:- dadu ghar ki yaad aa rahi thi raha nahi gaya toh aa gayi

Dada ji:- beta aana hi tha toh mere saath aa jati yun akele

Avantika:- aapke jane ke baad hi zyada mann hone laga aur tension kyu lete hain dadu
main thek se pahunch toh gayi naa

Dada ji:- hmm par aage se aisa nahi hona chahiye jahan bhi jaogi puri security ke saath
jaogi

Avantika:- done

Dada ji:- beta main soch raha tha ki agar waha tumhara mann nahi lagf raha hai toh aage
ki padhayi yaha kar lo
Avantika:- nahi dadu jo bhi hua usme meri padhayi ka kya kasoor main wahi padhungi

Dada ji:- par beta waha wo ladka bhi hai agar usne kuch gadbad ki toh

Avantika:- dadu itna toh ab aap bhi samjh gaye honge ki wo aisa kuch nahi karega agar
hum pehel nahi kare ge toh wo bhi kuch nhi karega

Dada ji:- chal jaisi teri iccha acha ek aur baat jo kuch bhi hua wo ghar par kisiko bhi pata
nahi chalna chahiye khaas kar tere dad ko toh bilkul bhi nahi

Avantika:- main kyu btaungi dadu agar kisiko kuch pata chala toh meri padhayi hi rok
denge

Dada ji:- thek hai fir ab jab tak tu yaha haienjoy kar aur khush rehna warna tere mom dad
ko shak hoga

Avantika:- main wo sab bhulane ke liye hi toh yaha aayi hun dadu aap tension free rahiye
main bohat khush hun Dada ji ne Avantika ke maathe ko chuma aur room se bahar nikal
gaye

Back to hero:

Main:- dadu wo side wale room me kya hai? shaam dhal chuki thi hum sab bahar aangan
me baithe the aaj din bhar humne khoob masti ki thi main aur Ronit first time tube well
me nahaye the waise toh ghar me bathrooms the par meri bohat dino se icha thi ki agar
kabhi koi gaav jaon toh tube well ya bore me nahaun jo aaj puri bhi ho gayi dopahar ko
jab mere chunu munu bhai behan aaye toh main unse mila itne cute the ki kya bataun?
unke liye jo gifts laya tha sab diya dono hi bohat khush ho gaye mom dad ne bhi nana nani
aur maami ke liye jo shopping ki thi wo sab unhe di itne saare kapde aur zewar dekhkar
sabhi shocked ho gaye the jab Nana ji aur Nani ji ko pata chala ki dad pure country ke top
ten rich logon me se ek hain toh dono ka seena garv se ful gaya par ek baat mere saath
ajeeb ho rahi thi neeche hi ek kamra tha jisme taala laga hua tha mujhe aisa lag raha tha
jaise koi hai jo mujhe uss kamre ki taraf kheech raha hai maine apni shakti se pata lagane
ki koshish bhi ki par nakaam raha abhi mouka sahi laga toh Nana ji se uss kamre ke bare
me puch hi liya

Nana ji:- uss kamre me purani kitabe hain beta pehle mujhe padhne ka bohat shouk tha
khaas kar ke prachin sabhyataaon ke bare me toh alag alag kitabein khareed kaar padha
karta tha wahi sab uss room me rakhi hui hain

Anjali:- woww nanu mujhe bhi historical cheezon ko padhne ka bohat shouk hai
Nana ji:- ye toh bohat achi baat hai Raju uss room ki chaabi bachon ko de de jab bhi dil
karega khol kar padh lenge

Main:- kabhi kya nanu hum abhi padhenge

Nani ji:- nahi pehle khana kaho uske baad jo karna hai karna

Mom:- haan bachon pehle dinner kar lo hum sab baith gaye line se dinner karne aaj mom
ne apne bhatijo ko apne haathon se khana khilaya aur mujhe pata chal gaya ki hamare
ghar me khana khate waqt baat na karne ka rule mom ne yahi se liya hai hum sabne hup
chaap khana khaya par in sab ke dauran mera dil uss room ki taraf baar baar aakarshit ho
raha tha

Main:- chalo us room ko kholte hain khana khatam kar maine Anjali aur Ronit se baat ki

Anjali:- haan chal naa

Ronit:- arre main nahi ja raha historical books bhi koi padhne ki chiz hai

Main:- tujhe kaun padhne ke liye bol raha hai hum jo books select kare ge tu unko uthana

Ronit:- oye coolie samjha hai kya?

Anjali:- tu chal raha hai ki nahi

Ronit:- chal raha hun naa chillati kyu hai maine taala khola aur hum room ke andar chale
gaye andar light off tha maine power button dhund kar light on kar di

Anjali:- wow kitni saari collection hai

Ronit:- total time waste

Anjali:- chup kar

Anjali:- yaar yaha itni saari books hainkya padhen

Main:- ek kaam karte hain tu left side ki shelf dekh main right side ki dekhta hun

Anjali:- thek hai

Ronit:- aur main

Main:- tu Anjali ki help kar main right side ki shelf ki taraf chala gaya kyu ki mujhe ussi
taraf se kuch khichaaw mehsoos ho raha tha main jab shelf ke kareeb pahuncha toh mujhe
shelf ke peeche kuch mehsoos hua maine beech ki kitaabe side sarkaayi aur peeche
dekhne ki koshosh ki mujhe neeche ki taraf kuch gira hua dikha waha se halki halki roshni
aa rahi thi par meri nazar padte hi roshni band ho gayi maine apna haath aage sarkaaya
hi tha ki mujhe ek aur jhatka laga kitab khud mere haathon me aa gayi thi

Anjali:- kuch mila kya main palta toh Anjali aur Ronit mere paas khade the

Main:- haan ye

Anjali:- arre ye book toh covered hai tujhe kaha mili?

Main:- yahi shelf me thi

Anjali:- kamaal hai yaha ki saari books ke upar dhool jam chuki hai par ye book toh puri
clean hai waise ye kitab hai kis bare me

Ronit:- arre pehle cover toh kholo maine cover hataya book ka title hamare aankhon ke
saamne tha

Ronit:- ******* bada khatarnaak naam hai bhai haina

Anjali:- par ye hai kis bare me khol kar dekhte hain

Main:- ek minute pehle Nana ji se puchte hain kya hai naa usse base clear ho jayega fir
padhne me aasani hogi

Anjali:- haan ye thek rahega chalo chalte hain hum bahar aaye toh dekha sabhi bahar
aangan me hi baithe hue the

Main:- Nanu ye book kis cheez ke upar likhi gayi hai hum teeno Nana ji ke paas jaakar
baith gaye

Nana ji:- arre ye kitab tumhe kaha mili main toh kabse isse khoj raha tha mujhe mili hi
nahi

Main:- andar book shelf me hi thi wo sab chhodo aap bataiye ki ye book kis chiz par likhi
gayi hai

Nana ji:- beta isse padha toh maine bhi nahi hai par haan ye kis chiz ke upar hogi iska idea
hai mujhe

Anjali:- bataiye na nanu ye janene ke liye tumhe Dhawali jheel ke bare me janana hoga
Main:- Dhawali jheel wo kya hai
Mama ji:- haan pitajibatayiye naabacho bohat hi mashoor kissa hai Mama ji ki baat sun
sabhi curious ho gaye iss jheel ke bare me janene ke

Nana ji:- Dhawalgarh ye naam iss shahar ko Dhawali jheel se hi mila hai ye jheel humare
sheher ke pashchimi chhor par hai aur ek bohat hi rochak baat bataun?

Hum Sab:- kya?

Nana ji:- maana jata hai ki ye jheel utna hi purana hai jitni ki Prithvi iska nirman Prithvi ke
saath hi hua tha hum sab Nana ji ki baat sunkar shocked ho gaye

Nana ji:- aaj se hazaaron saal purani baat hai kehte hain ki uss jheel ki gehrai ko naapa
nahi jaa sakta tha us jheel ke andar ek alag duniya thi aur pure bramhaand ke saare raaz
uske andar hi chupe hue the uss jheel ki raksha 1000 pavitra aatmaaye karti thi un aatmao
me itni taaqat thi ki agar unki shaktiyon ko mila diya jaye toh sampurn bramhaand ka
vinaash kiya jaa sakta tha par ek din koi devil waha par aaya kehte hain ki uss devil me
God ki shakti thi usne un pavitra aatmaon se uss jheel ke saare raaz janene ka adhikar
maanga par pavitra aatmaaye nahi maani us devil aur pavitra aatmao ke beech jung chhid
gayi jo najane kitne yugon tak chali devil samjh gaya tha ki wo un pavitra aatmao se nahi
jeet sakta tha issliye usne ek chaal chali uske paas ek spear hua karta tha jisme taakat ko
sokhne ki shamta thi usne apne bhi hazar roop bana liye aur charon taraf se humla karne
laga jitne bhi waar saare pavitra aatmae karti wo spear usse sonkti jati mouka dekhkar
devil gayab ho gaya par uske baaki ke roop lad rahe the jiski wajah se pavitra aatmaaye
dhoka kha gayi devil ko ye baat maalum thi ki har aatma dusre se judi hui hai wo turant
ek aatma ke saamne prakat hua aur uske seene me wo spear ghusa di spear ke paas taakat
ko sokhne ki shakti thi dekhte hi dekhte saare pavitra aatmaayen uss spear me samane
lage par unke andar itni energy thi ki wo devil uss spear ko sambhal nahi paya wo spear
uske haath se chhutke sidha Dhawali jheel ke beech me giri spear jaakar jis jagah gadha
us jagah ne saara paani sokhna shuru kar diya aur dekhte hi dekhte pura jheel sukh gaya
us devil ne jis raaz ko janane ke liye ye sab kiya tha wo raaz bhi uss paani ke sath gaayab
ho gaya paani ke andar jaate hi spear bhi zamin ke andar chala gaya aur wo puri jagah
kaali ho gayi kehte hai ye uss devil ke spear ki wajah se hua jo ki arre kya ek shabd tha
mujhe yaad nahi aa raha hai

Main:- enchantment

Nana ji:- haan enchantment ki wajah se hui thi jheel me ab ek bund paani bhi nahi bacha
tha fir bhi jheel ki satah geeli thi aur aaj bhi hai
Anjali:- what aaj bhi matlab ye sab sach hai koi kahani nahi

Nana ji:- kya pata beta par wo jagah hai chamatkari pata hai najane kitne shodh karta
scientist waha jaakar uss mitti ke gile hone ka aur kaale hone ki jaanch kar chuke hain par
koi bhi safal nahi hua ye aaj bhi ek paheli hi bani hui hai kuch 3 saal pehle pehle ye book
mere paas courier me aayi thi pata nahi kisne bheji bas saath me ek letter tha jisme bade
bade aksharon me likha tha Dhawali jheel ke raaz shayad mujhe purani historical chizen
padhne ka shouk hai issliye kisine bheji hogi maine isse baaki books ke saath rakh diya tha
par jab wapas gaya toh ye waha nahi thi bohat dhunda maine par mujhe nahi milipar
dekhomere naati ko turant mil gayi idhar main toh bas uss book ke title ke bare me soch
raha tha book ke title ka naam tha Devil's enchantment & the Holy Spirit

Dad:- papa maan jaiye naa

Nana ji:- arre beta tum samjh nahi rahe hohum apni hi beti ke sasural me nahi nahi ye
nahi ho sakta subah ka waqt hai hum sab bahar baithak me baithe hue hain mom dad
nana nani ko Mumbai shift hone ke liye mana rahe hain

Dad:- ye kya papa kal hi aapne mujhe beta maana tha aur aaj paraya kar diya

Nana ji:- arre beta kahanahi maana tha par tum samjh nahi rahe ho

Dad:- papa aap samjhiye beta hone se kuch nahi hota ek bete ki tarah aapki sewa karne
ka mouka dijiye tab jaakar main sahi maayeno me aapka beta banunga aur waise bhi Raaju
ne mujhe aapki health condition ke bare me bataya hai yaha koi proper medical facility
bhi nahi hai waha hum sab milkar aapka aur mom ka thek se dhayan rakh payenge

Mom:- jee papa aur aap bataiye yaha komal aur Aadi ka kya future hai mera ek beta waha
saari luxuries me rehta hai aur uske chote bhai behan yaha adjust karke aisa thodi na hota
hai

Main:- ye aap sab kya discussion le kar baith gaye ho? naanu nani bhabhi Mama ji aur
mere bhai behan aap sab chup chaap hamare saath chal rahe hain bus end of discussion
agar kisine aane se mana kiya toh main usse kabhi bhi baat nahi karunga

Ronit/Anjali:- hum bhi

Nana ji:- gudiya tu thek kehti thi ye teeno ek hi daal ke bandar hain ek kudega toh uske
peeche peeche baaki do bhi kudenge
Main:- baat ko mat ghumaiye aap ye bataiye ki aap sab hamare saath chal rahe hain ki
nahi

Nani ji:- main toh jaungi ab apne poton ke bina main nahi reh sakti naniji ne mujhe Ronit
aur Anjali ko baari baari gale lagate hue kaha

Nana ji:- lo bhai ab home minister ne haan kehdi hai toh phir hum kya bolen hum sab ab
apne bachon ke saath rahenge sabhi khushi se jhoom uthe sabse zyada toh dad khush the
itne ki unki aankhon me paani aa gaya wo jhat se uthe aur nananani ke gale lag gaye

Dad:- thanks papa thanks mummy

Nana/Nani:- dhath apne mom dad se koi bacha thanks bolta hai bhala kuch der baad jab
excitement kam hui tab

Dad:- chaliye papa aate hain

Nana ji:- kaha jana hai beta?

Dad:- Naveen Ahuja ke ghar

Main:- kya naam bola aapne? abhi Nana ji kuch kehte usse pehle maine puch liya

Dad:- Naveen Ahuja kyu? tu janta hai kya

Anjali:- tu itna surprised kyu ho raha hai?

Main:- kya unke dad ka naam Gulshan Ahuja hai?

Nana ji:- haan par tujhe kaise maalum iss baar surprise hone ki baari Anjali aur Ronit ki thi

Main:- unke potiyan mere saath padhti hain

Nana ji:- beta wo bohat khatarnaak aadmi hai uske paas jana thek nahi

Dad:- isme khatarnaak wali baat kaha se aa gayi? paise dene hain aur zameen ke kaagaz
lene hain

Nana ji:- beta wo paise bhi le lega aur zameen bhi nahi dega bohat ghatiya aadmi hai aur
takatwar bhi bohat hai usse ulajhne se nuksaan hamara hi hoga waise bhi hum toh
Mumbai jaa rahe hain naatoh zameen ka kya kare ge

Nani ji:- haan beta rehne do zameen ko


Jairaj:- papa mummy baat zameen ki nahi hai sahi aur galat ki hai jo hamara hai wo hamara
hi rahega aur aap iss Naveen se dariye mat kuch nahi hoga

Nana ji:- beta tu

Main:- nanu aap jaaiye wo kuch bhi nahi bolenga chup chaap zameen ke kaagaz aapke
haath me rakh denga

Nana ji:- kya bol raha hai beta tu kaagaz chhodo jo paise hum lekar jayenge wo toh usse
bhi rakh lega

Main:- nanu Vikram jo kehta hai wo ho jata hai ab koi behes nahi aapko meri kasam aap
jaiye baaki ki baat aapke aane ke baad kare ge aur haan paidal jaiyega

Dad:- paidal kyu?

Main:- dad gaon ka mahoul hai aaram se tahalte hue jaiye issi bahane nanu bhi sabko bata
payenge ki dekho mera beta aaya hai

Dad:- haan sahi kaha chaliye papa chalte hain mujhe pata tha ye papa wala emotional
wala funda zaroor chal jayega issliye yahi chipka diya

Ahuja's mansion:

Nana ji:- arre suno Naveen ji se kaho ki main aaya hun

Gate keeper:- maalik andar hi hain aap andar chale jaayiye Nana ji chowkidaar ki baat
sunkar chonk gaye ye pehli baar tha jab usne unhe yaha roka nahi tha har baar wo andar
jaakar Naveen ko batata tha kuch der intezar karwaane ke baad hi Naveen Nana ji ko
andar bulata tha

Dad:- kya hua papa? andar chalen dad ke awaaz se Nana ji hosh me aaye

Nana ji:- haan chalo chalte hain dad aur Nana ji lawn se hote hue andar hall me aa gaye
jahan puri Ahuja family khadi thi bas ek member missing tha aur wo thi hamari Avantika
madam jo side ke hi kamre se chhup kar dekh rahi thi

Nana ji:- namaste Naveen ji hum aapke paise loutane aaye hain

Dad:- Mr Naveen ye raha cheque jo bhi apka amount hai with interest aap isme bhar lijiye
aur hamare zameen ke kaagaz wapas kar dijiye abhi Naveen kuch kehta usse pehle hi dad
ne Nana ji ki adhuri baat sidhe sapaat tarike se Naveen se keh di
Naveen:- ye lijiye Naveen ne saamne table pe rakhe papers uthakar Nana ji ke haath me
pakda diye ye dekh dad aur Nana ji dono chonk gaye kaagzaat toh Naveen ne aise saamne
rakhe hue the maano wo pehle se hi Nana ji ka wait kar raha tha par naa hi dad ne naa hi
Nana ji ne Naveen se iss bare me koi baat kahi

Amrish:- thek hai Naveen hamara hissab barabar ho gaya hum chalte hain dad aur Nana
ji Ahuja's mansion se bahar nikal gaye

Nana ji:- mujhe toh yakin hi nahi ho raha hai ki papers usne itni aasani se hume de diye

Dad:- haan surprised toh main bhi hun jaisa aap bol rahe the waisa toh kuch bhi nahi hua

Nana ji:- kahi mere pote ko koi jaadu mantar toh nahi aata jaisa usne bola tha thek waisa
hi hua

Dad:- kya papa kuch bhi usne toh aise hi bol diya tha taaki aap nervous na hon

Nana ji:- jo bhi ho aaj main bohat khush hun hamare purkho ki zameen phir se hamari ho
gayi aise hi haste baat karte Nana ji aur dad ghar ki taraf nikal gaye ye toh khush hain
chaliye dekhte hain inke jane ke baad Ahuja's mansion me kya hua?

Naveen:- hisaab barabar my foot jo aaj hua hai uska hissab toh isse aur iske pure pariwar
ko dena hoga

Dada ji:- nahi Naveen abhi tum kuch nahi karoge waise bhi usne jo paise liye the wo toh
sodh samet louta diye naa apne dad ki baat sun Naveen shocked ho gaya

Naveen:- ye aap keh rahe hain pita ji aap hi kehte the naa ki Dhawalpur ke zameen ki
aakhri mitti bhi hamari milkiyat hai aaj itna sab kuch ho gaya aur aap kehte hain ki main
kuch na karun aakhir kyu

Dada ji:- tumhe iska kaaran batana main zaroori nahi samjhta bas itna samjh lo ki jo hua
usse bhul jao bas ye bolkar Gulshan ji apne kamre me chale gaye

Naveen:- sorry papa pehli baar aapki baat nahi maan raha hun par kya karun baat mere
ghamand meri naak ki hai jo aaj pehli baar jhuki hai wo bhi apne pariwar ke saamne apne
hi ghar me iska badla toh main lekar rahunga Jogi

Jogi:- ji maalik

Naveen:- Baalu kaha hai?

Jogi:- maalik wo toh phul gaon gaya hai


Naveen:- phone laga usse to ghante me wo mujhe yaha mere saamne chahiye Naveen ne
itni zor se ye baat kahi thi ki Jogi dar gaya

Jogi:- jee maalik abhi phone karta hun ye bol Jogi bahar nikal gaya

Naveen:- Sehgal khaandan aur uske rishtedaar aaj ki raat bhi nahi dekh payenge Naveen
ke chehre par ye bolte hue ek zahirili hasi thi ye sab ho kya raha hai koi batayega mujhe
arre mujhe koi kya batayega bataunga toh main naa aap sab ko ki aakhir maajra kya hai
aakhir kyu itni aasani se Naveen ne Nana ji ko unke zameen ke kaagaz wapas kar diye aur
jab kar hi diye toh fir itne ghusse me kyu hai aur hamari Avantika madam ye sab chhup
kar kyu dekh rahi hain ye sab janane ke liye chaliye thoda piche chalte hai

30 Minutes back:

Main:- Mama ji aapki bike ki chaabi do toh zara nanu aur dad ke jaate hi maine Mama ji
se pucha

Mama ji:- zara kya poori leja par jaa kaha raha hai?

Main:- thoda sheher ghumke aata hun

Ronit/Anjali:- aur hum

Main:- hum ghum kar aate hain

Ronit:- ab tune sahi se line boli na

Mama ji:- ye le aaram se chalana yaha logon ka koi bharosa nahi left right bina dekhe
gaadi chalate hain mama ne bike ki chabi meri taraf uchhalte hue kaha

Main:- arre Mama ji ye haal toh sabhi jagah hai hum teeno bahar aangan me aa gaye jahan
bike khadi hui thi

Anjali:- yaad hai Vj jab tum dono bike chalana sikhte the toh hum watchman uncle ki bike
churakar tripling karte the

Main:- bilkul yaad hai yaar chalo aaj kitno dino ke baad firse tripling kare ge hum teeno
baith kar nikal gaye road me maine gaadi dusre raaste se li kyu ki sidhe road pe toh dad
aur nanu jaa rahe the

Ronit:- pehle kaha chale?

Main:- abbe hum log ghumne nahi kuch kaam se jaa rahe hain
Ronit:- abbe ab yaha kya kaam pad gaya tujhe

Main:- chalna pahunchke toh tujhe pata chal hi jayega hamare paas time kam tha issliye
main bike thodi tez chala raha tha kuch hi der me hum ek ghar ke bade se gate ke bahar
the gate khula hua hi tha maine gaadi andar le li gate keeper side me khada tha kisiko yun
andar aate dekh usne whistle bajayi maine gaadi rok di

Gate keeper:- kaha ghuse chale aa rahe ho

Main:- ye ghar kiski hai?

Gate keeper:- hamare maalik Naveen Ahuja ki

Main:- jab maalum hai toh kyu puch raha hai chal side ho mere paas time kam hai nanu
ke aane se pehle mujhe nikalna bhi hai

Ronit:- naanu ke aane se pehle matlab? aur ye wahi Naveen Ahuja hai naa jiske bare me
ghar par baat ho rahi thi jiske paas nanu ki zameen girwi hai

Gate keeper:- ye kya khusur pusur kar rahe ho tum dono chalo niklo yaha se ab mere paas
faltu time toh tha nahi aur jo main yaha kehne aaya tha actually jis tarike se kehne aaya
tha uski shuruat abhi hi karni thi

Main:- sorry bhai

Gate keeper:- sorry kisliye?

Main:- issliye maine gaadi ka stand lagaya utra aur gate keeper ki gardan daboch kar usse
hawa me utha diya

Gate keeper:- ahhh

Ronit:- abbe ye kya kar raha hai?

Main:- baaton me time waste mat kar wo dekh kuch aadmi laathi liye aa rahe hain main
aage jaa raha hun tum dono un sab ko dhokar andar aao

Anjali:- abbe pagal ho gaya hai kya unke size dekh ek thappad me hi humara ram naam
satya ho jayega aur iska toh thek hai main kaise ladu

Main:- bharosa rakho bas darna mat unki maar ka tum dono pe koi asar nahi hoga jaise hi
wo paas aaye bus ek ek mukka jad dena aage kya hoga ye tum khud jaan jaoge ye saari
baateIn me uss gate keeper ko uthaye hue chalte chalte bol raha tha aahhh ahhh awaaz
sunkar jab main palta toh mujhe hasi aa gayi jo do log Ronit aur Anjali ko maarne aa rahe
the wo neeche pade hue the ek behosh ho chuka tha aur dusra dard se karah raha tha
hasi mujhe Ronit aur Anjali ke chehre dekhkar aayi jo un dono ko peetne ke baad shock
me chale gaye the kabhi un logon ko dekhte toh kabhi apne haath ko

Main:- abbe shock kyu ho rahe ho jo daily exercise karwaakar tonic pilata tha naye uska
asar hai ab tum dono 100 par bhi bhaari ho Ronit aur Anjali ki toh khushi ka thekana nahi
raha dono daudte hue aaye aur mere gale lag gaye

Main:- abbe ye sab baad me hamare paas time kam hai pehle yaha jo karne aaye hain wo
nipta lete hain dhamm aahh Naveen Ahuja joki apne munshi ke saath saamne hi sofe par
baitha tha wo sofe sahit palat gaya hua ye ki maine hall me ghuste hi mere haath se jo
gate keeper ko pakda hua tha usse Naveen ki taraf fenk diya Naveen ki cheekh sunkar
sabhi gharwale bahar aa gaye Dada ji aur Avantika toh mujhe dekhkar aise ho gaye maano
dono ne yamraaj dekh liya ho Avantika ko dekh main ek dialouge chipkaane wala tha par
jaise hi maine uski aankhon me dekha mujhe pata chal gaya ki ek toh usse apne baap ki
kartooto ke bare me kuch bhi nahi pata aur dusra usne ghar par Mumbai ke kaand ke bare
me kuch bhi nahi bataya

Naveen:- kaun hai be tu abbe dekh kya rahe ho maaro saale ko par main apni jagah se hila
bhi nahi kareeb 78 log aaye Ronit aur Anjali ne sabko ek ek ghuse me hi sula diya Ronit ka
toh fir bhi thek tha par ek ladki ko aise ladte dekh sabhi shocked ho gaye main dheere
dheere chalte hue Naveen ke saamne gaya kuch seconds me hi uske aadmiyon ki jo haalat
hui thi usse dekhkar wo waise hi kafi dar gaya tha

Main:- ek baar bolunga thodi der me mere nanu aur dad yaha aayenge apni zameen ke
papers tujhse lene bina noutanki ke chup chaap papers unke hawale kar dena main tere
ghar se thodi door me hi khada rahunga agar tere ghar se nikalte waqt mere nanu ke
haath me zameen ke papers nahi hue tune koi bhi kartab dikhane ki koshish ki toh main
wapas aaunga aur agar mujhe dobara yaha aana pada toh tere ghar me laashe ginane
wala bhi koi nahi bachega meri awaaz itni sard thi ki Naveen aur uske gharwale kaamp
gaye main palta Ronit aur Anjali ko lekar bahar nikal gaya

Avantika:- (mann main) jitna isse door jati hun ye aur utna mere paas aajata hai par kamse
kam isne mera naam toh nahi liya warna mera Mumbai jana cancel ho jata par isne kaha
ki iske dad aane wale hainwo toh mujhe pehchaan lenge isse pehle ki wo aayen main kahi
chup jati hun aur iss tarah jab dad aaye toh Avantika madam side ke kamre me chupi hui
thi

Flashback ends:
Ronit:- thanks yaar

Main:- abbe tere mere beech thanks kabse aane laga hum just ghar pahunche the iss waqt
hum mere room me baithe hue the

Ronit:- nahi sach me yaar uss din jab wo ladke mujhe maar rahe the Avantika aur uski
behane Anjali pe haath utha rahi thi toh main khudko itna bebas mehsoos kar raha thaki
kya bataun mera pura self confidence hi khatam ho gaya tha par ab teri wajah se wapas
aa gaya

Anjali:- mera nahi hamara Gudiya Raju Vicky Ronit Anjali beta kaha ho bahar aao abhi
main kuch kehta itne me neeche se nanu ki awaaz aayi ab hume toh pata tha ki nanu kyu
itne excited hain par unhe toh nahi pata tha na ki hame pata tha ki unhe jo pata tha wo
hame already pata tha arrree main ye kya bakwas kar raha hun bottom line ye hai ki sab
kuch jante hue bhi hum anjaan bankar neeche aa gaye

Main:- nanu bohat khush lag rahe hain iska matlab papers mil gaye haina

Nana ji:- arre waah ek baar me hi bata diya bohat ache

Mama ji:- sach me mujhe toh vishwas hi nahi hota Naveen jaise aadmi ne itni aasani se
zameen chhod di

Nana ji:- haan hairan toh main bhi hun kyu re Vicky koi jaadu mantar janta hai kya? jaisa
tune bola tha thek waisa hi hua

Main:- arre nanu wo toh aap nervous the maine toh bas aapka moral boost karne ke liye
keh diya tha

Nana ji:- jo bhi ho hamare bache hamare liye kitne shubh hain dekho khud toh aaye saath
me hamari saari khushiyan bhi le aaye

Ronit:- issi baat pe lunch ho jaye mujhe toh zoron ki bhook lagi hai

Anjali:- bola bhukkad bola

Nani ji:- chupkar tu mere bache ko bhuk lagegi toh bolega hi naa waise bhi khaane ka waqt
ho gaya hai chalo sab log haath mouh dhokar baitho main khaana nikalti hun fir kuch
khaas na hua humne as usual hum sabne chup chaap khaya khana khakar hum sab kuch
der aaram karne ke liye apne apne room chale gaye

Wahi dusri taraf:


Aadmi 1:- arre udhar dekh

Aadmi 2:- arre ye toh gaadha tha iska rang fika kaise ho gaya chal paas chalkar dekhte
hain

Aadmi 1:- nahi nahi bachpan se ye jagah dekhte aa raha hun pehli baar aisa kuch hua hai
chal Pujari ji ko batate hain dono aadmi turant Pujari ji se milne chale gaye

Back to hero:

Main:- aa gaye machhar kaatne uth be mere baaju me Ronit soya hua tha maine usse hila
kar uthaya

Ronit:- kya ho gaya hai bhai abhi abhi toh neend lagi thi abbe bahar tere dost aaye hain
tujhe milne jaldi uth kahi ghar me na ghus jayen

Ronit:- dost kaun se dost?

Main:- abbe Naveen Ahuja apne aadmiyon ke saath aaya hai hamari khatir daari karne
Naveen Ahuja ka naam sun Ronit ki bachi kuchi neend bhi ud gayi?

Ronit:- inki maa kaa saale hamare ghar tak pahunch gaye saalon ko aaj chhodenge nahi

Main:- tu jaakar Anjali ko bula aur sun dheere se pure ghar me dhindora mat peet dena
wo log peeche ki taraf se aa rahe hain main neeche hi hun tu Anjali ko lekar pahunch

Ronit:- thek hai par sun akele shuru mat ho jana humara wait karna

Main:- chal jaldi jaa mujhe maalum tha ki Naveen Ahuja bhi uske baap ki hi tarah kutta hi
niklega ek baar toh aayega hi kaatne issliye uske yaha se aate waqt maine ghar ko ek
surakhsha dhaage se secure kar diya tha iss dhaage ki khasiyat ye thi ki ye mere dimag se
juda hua tha ghar ke paas agar koi bhi khatra hua toh ye mere dimag ko alert kar deta tha
main tezi se neeche utra aur peeche ki taraf lapka

Main:- oh shit neeche utarte waqt raaste me koi nahi dikha main iss baat se khush ho hi
raha tha ki peeche phool bagiche ke paas mujhe nani dikh gayi aur uspe sone pe suhaga
ye hua ki nani ne apne saamne se aate hue Naveen aur uske logon ko dekh bhi liya jise
dekhkar wo bohat dar gayi kyu ki sabke haath me koi na koi hathi yaar tha

Nani:- gudiya ke papaa Rajuu Jairajjj abhi main nani ko chup rehne ko bolta usse pehle hi
nani sabko chilla chillakar awaaz dene lagi
Main:- gayi bhains paani me nani ki awaaz sun sabhi doude hue hamari taraf aa gaye aur
saamne ka nazara dekhkar kafi dar gaye

Nana ji:- dekha maine kaha tha naa ye itni aasani se kuch nahi dega ek kaam karte hain
isse papers wapas kar dete hain

Dad:- arre aise kaise aap dariye mat kuch nahi hoga ab tak wo sab log hamare paas
pahunch chuke the

Aadmi:- maalik kaun tha wo abhi dad kuch kehte usse pehle ek hathe kathe aadmi ne
Naveen se pucha? Naveen ne meri taraf ungli dikha di meri taraf ungli point karte dekh
dad ka dimag ghum gaya

Dad:- oye ye mere bete ki taraf kya ungli dikha raha hai usne kya kiya hai

Naveen:- kya kiya hai mere ghar me ghuskar mujhe aur mere aadmiyon ko maarta hai ye
ladka aur tu puchta hai ki isne kya kiya hai Baalu khatam kar isse

Nani ji:- nahi nahi ye mera pota hai isse kuch mat karna main tumhare aage haath

Main:- nahiii meri awaaz itni tez thi ki mere gharwalon ke saath saath Naveen aur uske
aadmi bhi dar gaye

Main:- aaj ke baad agar kabhi bhi upar wale ko chhodkar aap me se kisi ke bhi haath kisi
aur ke aage jhuke toh ussi waqt mujhe mara maan lena

Mom:- Vickyyy

Main:- nahi mom main sahi hun aur aapko pata jab main sahi hota hun main kisiki nahi
sunta

Main:- aur tu be ha*****mi ke jane mere dad ko tu bola tune be abbe ga****dua admi
ko apni aukaad kabhi bhulni nahi chahiye teri pohonch aur aukaad bas iss jagah tak hai
par mere dad ki puri duniya me tu mere dad ko tu bolega aur ye hinjdo ki fouj se tu Vikram
Jairaj Singh ko darayega kya naam hai be tera Baalu saale dikhta toh suar jaisa hai tujhe
laya hai ye mujhe maarne Anjali

Anjali:- tere baaju me hi khadi hun chillata kyu hai?

Main:- toh be Baalu sun mujhe chhodye jo ladki mere baaju me khadi hai na aisse maarkar
dikha meri baat par Naveen aur uske aadmi hans diye

Baalu:- iss ladki se abbe


Main:- abbe chup tere ghatiya punch lines sunne nahi baitha hun main yaha

Nani ji:- beta tu ye kya bol raha hai? ek ladki ka mard se kya mukabla?

Main:- maaf karna nani ji par aap galat hain ek aurat agar ek mard ko paida kar sakti hai
wo bhi iss (Baalu) jaise ko toh uski hekdi bhi nikal sakti hai Anjali tu kya kisi mouhurt ka
intezar kar rahi hai maar saale ko

Anjali:- yaar tu itne ache ache dialouge bol raha hai issliye thoda carried away ho gayi

Naveen:- bas bohat hua Baalu Baalu doudta hua meri taraf aaya aur apna mukka mere
chehre ki taraf ghuma diya ahhh ye awaaz meri nahi Baalu ki thi aur usse abhi tak maar
bhi nahi padi thi bas uska jo haath mujhe maarne ke liye ghuma tha Anjali ne usse pakad
kar thoda zor se daba diya tha jise uski cheekh nikal gayi jahan abhi tak mere ghar wale
dare hue the aur dusri taraf Naveen aur uske aadmiyon ke chehre par muskaan thi ab
reactions badal gaye the Naveen aur uske aadmiyon ke chehre par shock aur dar dikh raha
thawahi mere ghar wale toh aankhen phaade Anjali ko dekh rahe the chataakk chataakk
Anjali ne tezi se lagatar baalu ko teen chaate maare aur aakhir me ek punch maar diya jab
tak kisiko kuch samjh me aata baalu zameen par behosh pada tha uska chehra pura phat
gaya tha aur mukka padne se ek side ek kai daant bhi shaheed ho chuke the Naveen aur
uske aadmi abhi jo hua uske sadme se ubharteusse pehle hum teeno un par toot pade 30
second me Naveen ke aadhe aadmi zameen par the Naveen iss achanak hue hamle se
bokhla utha par ab uske aadmi sambhal gaye the meri taraf ek saath 10 bande badhe main
tezi se aage ki taraf badha aur jo side me aadmi tha uske dodge dekar uske peeche chala
gaya maine usse hawa me uthaya aur side me baaki ke 9 ke upar fek diya to ko chhodkar
baaki sab gir gaye par jab tak wo do sambhalte main unke sar par pahunch chuka tha
maine dono ka gala pakad utha diya maine dekha Ronit aur Anjali bhi 10 10 bando se
bhide hue the maine dono ko do taraf fek diya ek Anjali se bhidne wali group se takraya
aur dusra Ronit se bhidne wali group se dono taraf ke aadhe se zyada log gir gaye itna
waqt dono ke liye kafi thaghuma ghuma ke har ek ko dono kabhi dhobi pachadtoh kabhi
choke slamtoh kabhi mukke pelne lage 5 Minute bhi nahi laga hoga Naveen ke saare
aadmi zameen par pade the aadhe se zyada toh dard bardasht nahi kar paye aur behosh
ho gaye aur baaki neeche pade tadap rahe the Naveen ko toh apni aankhon par bharosa
hi nahi ho raha tha chataakk iss aawaaz ke saath janab na sirf hosh me aaye balki unhe
apne zinda hone ka saboot bhi mil gaya jhabda jo tut gaya tha uska mere thappad se Anjali
aur Ronit bhi mere paas aa gaye
Main:- kya bola tha maine subah tujhe itni jaldi bhool gaya tu galti teri nahi hai pata hai
kuwen me jo mendhak hote hai naa unhe kuwan hi samandar lagta hai unhe lagta hai ki
wo uss samandar ke raja hain par aisa hota toh nahi hai naaasal ke samandar me un
mendhakon ki kya aukaad hai beta hum uss asli samandar ke raaja hain aakhri baar bol
raha hun humse mat uljiyo maine usse collar se upar uthaya aur door phenk diya aahhh
ek dard bhari awaaz uske mouh se nikli par wo itna dar gaya tha ki jaise taise utha aur
apna toota jabda pakadke bhaag gaya Naveen aur uske aadmiyon se nipatkar jab hum
peeche palte toh hamari hasi chhut gayi hamari family aankh phaade mouh khole hume
dekh rahi thi

Main:- arre show khatam ho gaya chalo sab andar meri awaaz sunkar sabko hosh aaya

Nana ji:- ye sab kya tha? tum teeno insaan hi hona itne saare logon ko kuch minutes me
hi maar diya

Main:- haan aaj thoda late lag gaya

Mama ji:- late arre wo log toh tumhe chu bhi nahi paa rahe the tum sab toh unhe aise
utha utha kar fek rahe the jaise wo koi bache hon

Ronit:- hamare saamne bache hi toh the maamu mom Anjali ke paas jaakar itne hatthe
katte aadmi ka haath tune itne aaram se mod diya aur ek mukke me uska jabda tod diya
kaise

Anjali:- training aunty training

Mom:- kaisi training? aur tune kab li

Ronit:- aapke suputr hame daily self defence ki training dete hain

Nana ji:- aur tune ye sab kaha se sikha?

Main:- maine bhi training li hai aur ab please haanno more sawal jo bhi puchna hai baad
me puch lena fighting karke mujhe zoron mki bhook lag gayi hai toh pehle kuch nashta ho
jaye

Ronit:- Anjali chalo andar hum teeno andar chale gaye aur hamare peeche peeche baaki
family members bhi fultoo shock me dheere dheere andar aa gaye

In Heaven:

St Cecilia:- aapka coriour boy banana safal hua st Alfrick kitab Vikram tak pahunch gayi
St Alfrick:- haanpar Vikram ke uske andar jaate waqt hame bhi uske saath rehna chahiye
pata nahi uspe iska kya prabhav pade

St Sebastian:- nahisirf Vikram hi uss shakti ko jhel sakta hai agar hum gaye toh humara bhi
wahi haal hoga jo holy spirits ka hua tha ye usse akele hi karna hoga yahi uski niyati hai

Main:- aahh Nanu dukh raha hai subah ka waqt hai hum sab just nashta khatam karke
bahar aangan me baithe hi the ki achanak Nana ji ne mere kaan pakad liye

Nana ji:- acha dukh raha hai kal jo itne logon ko utha utha kar fek raha tha tab dukh nahi
raha tha

Main:- issliye aapne kaan pakde hain ye koi itna bada kaam toh hai nahi ki aapko mere
kaan pakadne ke liye pura ek din wait karna pada jahan meri family meri baat par hans di
wahi Nana ji ne mere sar par ek tapli baja di

Nana ji:- baatein khub banata hai kyu

Ronit:- waise naanu iske kaan marodte dekh maza toh khub aaya par aisa karne ka reason
toh bataiye? maine Ronit ko ghur ke dekha

Ronit:- ghur kya raha hai hamesha mere ki kaan pakde jaate hain tu toh hamesha khisak
leta hai aaj pehli baar kuch ulta ho raha hai toh main khushi bhi na manaun kya? ahhh
nanu maine kya kiya abhi Ronit khush ho hi raha tha itne me Nana ji ne uske kaan bhi
pakad liye aur ab hasne ki baari meri thi

Nana ji:- tum teeno ne hume ullu banaya hai kal kya bol raha tha tuki mujhe kya dene ke
liye tune wo sab kaha ki chale jao papers mil jayenge

Anjali:- moral boost nanu

Main:- (mann main) kamini mom ke paas baithi hai issliye iske kaan bache hue hain

Nana ji:- haan moral boost yahi bolkar hame ullu banaya tha naa

Main:- bhagwan ke kiye ko mujh pe kyu thopte ho nanu kaun kya ban kar paida ho gaye
toh God hi decide karte hai naa sabhi meri baat sunkar zor zor se hasne lage Nana ji ko
pehle toh meri baat samjh me nahi aayi par jab aayi toh mere sar par unke haathon ke
dwaara ek aur tapli ka dastak hua
Mom:- papa aap isse baaton me nahi jeet sakte bohat chalaak hai ye sabko apni baaton
me fasa leta hai excuse me hum abhi baat kar hi rahe the ki hamare saamne koi aaya jise
dekhkar main Ronit aur Anjali shocked ho gaye

Wahi dusri taraf:

Unknown:- kya ye kaam sach me itna bada hai I mean ye ********

Unknown 2:- main tumhara surprised hona samjh sakta hun par yakin maano ye tumhari
soch se bhi zyada khatarnaak hai

Unknown:- iss position me main aise hi nahi pahuncha hun ***** yaha pahunchne ke liye
jitni laashen maine bichayi hain tumne utne zinda insaan nahi dekhe honge par mere
maafia king hone ka sabse bada kaaran hai ki main kisi ko bhi kam nahi aankta maza aata
hai mujhe challenges face karne me agar tumne jo bhi kaha hai wo sach hai toh aage
chalkar ye hamare liye bhi khatra ho sakta hai aur Madox har khatre ko shuru hone se
pehle hi khatam kar deta hai

(Madox Horan: maafia king najane kitne hi deshon ke most wanted criminals ki list ka
topmost naam khasiyat taakatwar hone ke saath saath behad chalak iska slogan hai by
hook aur by cruk kaise bhi mile bas jeet milni chahiye)

Unknown:- jo bhi karna kuch waqt ke baad karna abhi wo alert hoga chatakk

Madox:- kya karna hai kaise karna hai ye tu mujhe batayega dobara agar Madox ke
saamne apni bakwaas raay rakhi na toh teri biwi ke paas tere iss sade se sar ka gift
pahuncha dunga samjha chal nikal wo anjan shaksh aankhon me dar aur apne gaal par
jisme Madox ke ungliyon ke nishaan chhap chuke the waha haath rakhe bahar nikal gaya

Back to hero:

Avantika:- kya main tumse kuch baat kar sakti hun madam ki awaaz se hum hosh me aaye

Main:- bolo jo bolna hai?

Avantika:- yaha nahi bahar maine dad ki taraf dekha dad ne aankhon se hi jane ki
permission de di

Main:- chalo hum teeno Avantika ke peeche peeche bahar chale gaye Small flashback:

Avantika:- dadd Avantika saamne sofe par baith kar mobile me kuch dekh rahi thi juton ki
aahat sun jab usne saamne dekha toh uski cheekh nikal gayi awaaz itne zor ki thi ki sabhi
ghar wale bahar aa gaye aur Naveen ki haalat dekh sabhi sakte me aa gaye Naveen ki
haalat thi bhi aisi ki koi bhi ghabra jaye ek haath kamar me utha kar fenka jo tha hamare
hero ne jhatka lag gaya hoga ek haath gaal pe joki ek taraf se sujh chuka tha shirt pe khoon
ke dhabbe inshort Naveen iss waqt aisa lag raha tha jaise koi bhikari ne kisi rahis aadmi
ke kapde pehene ho

Avantika:- rote hue kya hua dad aapko itni chot kaise lagi aur aapka chehra itna suja hua
kyu hai? Avantika ki mom aur dadi toh bas ro rahe the par Dada ji ko kuch shak ho gaya
tha

Dada ji:- Naveen jo subah me ladka aaya tha kya tu usse bhidne gaya tha Naveen apne
dad ki baat sun ghabra gaya jo Dada ji ne note kar li

Dada ji:- sach sach bata Naveen ussi se maar khaa kar aa raha hai na tu

Naveen:- darte hue ji pita ji

Dada ji:- agar teri haalat thek hoti toh main tera jabda tod deta

Dadi ji:- ye kya keh rahe hain aap ek toh uss ladke ne mere bete ko itni buri tarike se maara
aur uske upar aap bhi daant rahe hain bade chote ki tamiz bhi nahi hai uss ladke ko apne
baap ki umar ke aadmi par bhi bhala koi haath uthata hai lagta hai uske maa baap ne usse
sanskaar hi nahi diye (ab hamari Dadi ji ko kya pataki sharafat ki ganga ka sabse zyada
shortage unhi ke ghar par hai)

Dada ji:- saari galti tumhare iss laadle ki hai jab maine mana kiya tha ki usse mat bhidna
toh gaya hi kyu ab bhugat bahu Dr ko phone lagao usse turant aane ko kaho

A/Mom:- ji pita ji aunty ji turant bhaagi phone karne par idhar Avantika ki aankhon me
aansu aur chehre par bohat zyada ghusse ke bhaav aa chuke the sab Naveen ko hi ghere
khade hue the Avantika dheere se uthi aur bahar ki taraf chali gayi

Flashback ends:

hamare bahar nikalne ke baad andar:

Nana ji:- ye toh wo Naveen ki beti hai naa

Dad:- ji papa

Nana ji:- isse mere poton se kya baat karni hai

Dad:- papa ye sab classmates bhi hain hogi koi baat unke beech ki
Nana ji:- haan par kal hi mere bachon ne uske baap ko maara tha aur aaj ye yaha aa gayi
mujhe toh isme bhi iske baap ki koi sajish lagti hai

Dad:- mummy aapko abhi bhi lagta hai ki aapke pote ko koi bewakuf bana sakta hai agar
un logon me zara bhi buddhi bachi hogi toh koi bhi naya drama karne se pehle hazaar baar
sochenge aap tension free ho jaiye kuch nahi hoga

Wahi bahar:

Main:- boliye aaj madam ko humse kya khaas kaam pad gaya par Avantika kuch bol nahi
payi ghar se nikalne ke baad jo aansu control karke rakhe hue the ab wo tezi se bahar
nikalne lage maine uski ankhon me jhanka ab mujhe pata chal gaya tha ki uske ghar me
kya scene hua hai aur wo yaha kyu aayi hai

Avantika:- aakhir kya bigada hai maine aur meri family ne tumhara maine school me toh
tumse keh diya tha na ki ab hum dono ek dusre ke raaste me kabhi nahi aayenge fir bhi
ye sab

Ronit:- abbe abhi Ronit aage kuch kehta par maine haath dikhakar usse chup rehne ko
kaha main chahta tha ki pehle Avantika ke dil ka pura gubbar nikal jaye

Avantika:- chalo maana uss raat party me Mama ji ne tumhare dad ke saath batamizi ki
thi issliye tumne unhe maara fir maine bhi dosti ka jhuta naatak kiyaissliye tumne hame
punish kiyapar ab mere dad ne tumhara kya bigad diya jo tumne unhe itne buri tarike se
maara unki umar bhi tumhare dad jitni hi hai apne dad ke umar ke aadmi pe tumhe haath
uthate hue sharm nahi aayi tumme thode se bhi manners hai bhi yaa nahi

Main:- ho gaya ya aur kuch bhi bacha hai chalo andar maine uska haath pakda aur usse
khichte hue andar le gaya usne chhutne ki koshish ki par kamiyab nahi ho payi

Ronit:- ye gayi ab jo shudh waani ka iske kaano se sangam hoga wo kabhi bhul nahi payegi
ye

Anjali:- abbe aaram se haath na ukhad jaye kahi main Avantika ko kheenchte hue aangan
me le aaya jahan sab abhi bhi baithe hue the mujhe iss tarah Avantika ko kheench kar
laate hue dekh sabhi shock hokar khade ho gaye

Mom:- ye kya tarika hai Vicky kisi ladki ko aise kheenchte hai kya? aaj pehli baar tha jab
mom ne mujhse itni tez aawaz me baat ki thi

Main:- mom ye mujhe ulta sidha bol rahi thi


Mom:- toh kya ispe zor aazmaiyish karega yahi sikhaya hai maine tujhe ek ladki ke upar
apni taakat aazmana

Main:- manner shaan tehzib sanskar isse kehte hain aaj pehli baar meri mom ne mujhse
chilla kar baat kiaur wo bhi kiske liye uss ladki ke liye jiska baap kal shaam meri puri family
ko maarne aaya tha Avantika fati aankhon se meri taraf dekh meri baat sunne lagi

Main:- you know what abhi jo tum justifications de rahi thi naaki chalo wo tumne issliye
kiya wagaira wagaira (ab saari baat toh nahi bata sakta tha naa Avantika ki jhuti frnship
aur uske baad ke kaand ke bare me ghar par kisiko pata nahi tha) tum sirf apne aap ko
sahi dikhane ke liye keh rahi thi ki dekhohum itne bhi bure nahi hain agar maine kal
tumhare ghar me ghuskar tumhare pujyaniya dad ko dhamkaya tha toh sirf issliye kyu ki
agar main aisa nahi karta toh mere nanu aur dad ko wo papers kabhi nahi dete jaakar
apne dad ke room ka locker kholo aur dekho najane kitne hi maasoom logon ki mehnat ki
kamayi se khareede hue plots ke papers milenge waha tumhara jo aalishan bangla hai naa
usse banane ke liye sirf it aur cement nahi laga hai logon ke aansu aur dard bhi mile hue
hai uss imarat ki diwalon me aur tum mujhe manners ka gyan dene aa gayi agar koi
tumhare ghar me ghuskar tumhari family ko jaan se maarne ki koshish kare toh kya tum
chup chaap baith kar dekhti rahogi apne baap se jaakar bol denaki agar aisi ochi harkat
dobara karne ki koshish kitoh kal jo dhamki maine subah tumhare ghar me ghus kar usse
di thi usse sach hone me waqt nahi lagega aur tum toh bohat ache se janti ho

Ronit:- Vj jo kehta hai

Anjali:- wo ho jata hai Avantika ke body me ek sard leher doud gayi kyu ki wo ab tak mujhe
itna toh jaan hi chuki thi ki main jo bhi kehta hunwo kisi bhi haal mekar bhi deta hun wo
mudi aur tezi se bahar naikal gayi

Main:- mom sorry wo main

Mom:- uski zaroorat nahi hai I am proud of u

Sab:- galat we are proud of u

Mom:- tu jaa thodi der aaram kar le mom ko pata tha ki iss waqt mera mood thoda off ho
chuka hai aur mujhe kuch waqt akele rehna hai aakhir mom jo thi main bhi chupchaap
apne room chala gaya

Wahi dusri taraf:


Pujari ji:- (mann main) ye mitti itni sheetal kaise ho gayi iska arth hai ki wo samay shigrh
hi aane wala hai aur iska ek chota sa bhaag banane ka mouka mujhe mila hai hey
Prabhutera koti koti dhanyawaad ki tune mujhe iss layak samjha Pujari ji jo ki aankh band
kar Dhawali jheel ki mitti ko haath me pakad ye sab soch rahe theunhone aankhen khol
di

Aadmi 1:- kya hua Pujari ji? bataiye naaye sirf ek sanjog hai ya koi chamatkar Pujari ji ne
aas paas dekha saikdon log unhe ghere khade the kal unke saath saath aas paas ke sabhi
logon ko Dhawali jheel ki mitti ke rang me aaye badlaaw ke bare me pata chal gaya tha ab
ye koi choti baat toh thi nahiki chhup jati par shaam dhal jane ki wajah se Pujari ji ne agle
din yaha aakar dekhna sahi samjha

Pujari ji:- koi chamatkar nahi hua hai ye sab maatra ek sanjog hai (jhoot) najane kitne yugo
se ye mitti yaha par hai rang me badlao aana koi badi baat nahi Pujari ji ki baat sunkar jo
logon me ek excitement jaag gayi thi wo khatam ho gayi par kuch ki ab bhi khujli bachi thi

Aadmi:- par Pujari ji aaj tak toh iss mitti ne rang nahi badla yun achanak kaise iska ranga
badal gaya

Pujari ji:- ab main koi shodhkarta toh hun nahibhala iska main kaise jawab de sakta hon
agar koi chamatkarik Prabhu se judi baat hoti toh main avashya batata par aisa toh kuch
bhi nahi hai fir kisine kuch bhi nahi kaha aur dheere dheere wo jagah khaali hoi gayi aur
reh gaye sirf Pujari ji

Pujari ji:- mujhe ab apna kaam shuru kar dena chahiye vilamb karna thek nahi Pujari ji
uthe aur tezi se chalte hue apne makaan ki taraf badh gaye

Back to hero:

Ronit:- kya soch rahe hain sir? main room me leta kuch soch raha tha ki itne me Ronit aur
Anjali room me aaye

Main:- soch raha hun ki kya sochun

Ronit:- hain soch raha hai ki kya soche matlab

Main:- bina matlab ke koi baat ka matlab nahi nikalta kya soch raha hun ki agar main aisa
sochun toh meri soch kuch galat na sochne lag jaye Ronit ko laga maine koi serious baat
ki hai toh maine kya bola wo samjhne ki koshish karne laga hahaha Ronit ne side me dekha
jahan Anjali pet pakad kar hans rahi thi fir usne meri taraf dekha mere chehre par bhi
muskurahat thi
Ronit:- kamaal hai abhi tak ye samjh nahi aaya ki ye saala aakhir bola kya uske upar ye bhi
hasne lag gayi abbe tu hans kyu rahi hai

Anjali:- tere popat hone pe

Ronit:- matlab?

Anjali:- abbe wo tujhe apni baaton me fasakar popat bana raha hai aur tu soch raha hai
jaise wo tujhse puzzles me baat kar raha hai Vj ne jo bhi bola uska koi matlab nahi hai
duffer

Ronit:- saaletu mera popat kar raha tha aur main saala jitna ganit aata tha sab laga diya
teri baat ka matlab samjhne me

Anjali:- toh ye kaunsi nayi baat hai wo sab chhod pehle jo bolne aaya tha wo bol len

Ronit:- abbe haaniski gol gol baaton me main asli baat toh bhul hi gaya wo Mama ji bol
rahe the yaha ek hotel hai waha rabdi kamal ki milti hai chal na chalte hain maine Ronit
ko ghur kar dekha wo idhar udhar dekhne laga

Anjali:- abbe nahi jana hai toh mana kar dena

Main:- nahi jana hai ho gaya

Ronit:- saale fitness freak thode se mithe se kuch nahi hota

Main:- jab kuch nahi hota toh khaana hi kyu haij

Anjali:- rehne deye nahi maanega chal hum dono hi chalte hain dono nikal gaye baat
darasal ye hai ki mujhe mitha pasand nahi hai issliye saale ghuma firakar baat kar rahe the
khair unke jane ke baad main fir kal raat ke bare me sochne laga chaliye iss baar apko bhi
dikhata hun kal raat mere saath kya hua

Last night:

Ronit:- jaldi khol yaar dekhen tohaakhir kya kya likha hai uss jheel ke bare me Nana ji ke
Dhawali jheel ki history batane ke baad uske bare me janene ke liye hum teeno bohat
excited the humne sabko g n wish kiya aur mere room me aa gaye

Anjali:- kya baat hai somebody is looking very excited haan

Ronit:- aur nahi toh kya kissa hi itna interesting hai aur janana toh banta hai na maine bhi
muskurate hue first page khola aur
Hum teeno:- oh shittt

Ronit:- ye kis language me likha hai yaar

Anjali:- ruk main google me check karti hun actually wo kitab kisi alag hi language me likhi
gayi thi

Anjali:- arre yaar iss language ka toh koi source hi nahi hai

Ronit:- matlab?

Main:- matlab google Baba ke hisaab se ye koi language hi nahi hai

Ronit:- toh fir ye sab likha kya hai kisine apna cracked dimag chaap diya hai kya?

Main:- ab ye main kaise bataun?

Anjali:- kya yaarpura mood hi off ho gaya chhodomain chali novel padhne

Ronit:- aur main chala lappi me movie dekhne dono bahar nikal gaye aur main rah gaya
akela maine book side me rakhi aur washroom chala gaya wapas aakar main kya karun ye
soch hi raha tha ki main chonk gaya uss book se halki halki roshni nikal rahi thi maine book
uthayi aur jaise hi khola

Main:- arre ye plain kaise ho gaya? darasal ab uss kitab me kuch bhi nahi likha tha wo
khaali thi maine tezi se panne paltaye

Main:- arre ye kya likha hai main panne palta hi raha tha ki mujhe beech me kuch likha
hua sa dikha

Book:- mujhe padha nahi jaa sakta uss panne par ye likha hua tha

Main:- ab saala iska kya matlab hua maine panne ko dekha toh fir chonk gaya jo likha tha
wo mit raha tha aur uski jagah kuch naya likha aa raha tha

Book:- par dekha ja sakta hai

Main:- par kaise mere mouh se apne aap hi nikal gaya ikhi hui line phir mit gayi aur uske
jagah kuch naya likhane laga

Book:- mujhe apne maathe se lagao aur kaho ''mastishk pravishatI’' pehle maine uthkar
apna room band kiya aur wapas bed par aakar baith gaya maine book ko apne maathe
par lagaya aur kaha mastishk pravishati mantra kehte hi meri aankhen apne aap band ho
gayin book se ek tez roshni nikli roshni itni zyada thi ki agar maine room band nahi kiya
hota toh roshni bahar bhi sab kuch roshan kar deti kuch der tak wo roshni lagatar badhti
rahi aur fir ek jhatke me band ho gayi arre main kaha gaya room me bas wo kitab hi thi
main gayab tha

Main:- abbe ye kaun si jagah hai aur oye teriiiiiiii main paani ke upar khada hun saala ho
kya raha hai maine apne charo taraf nigah ghumai is waqt main ek jheel jaisi jagah ke
theek upar khada tha matlab paani mere pair se kuch ek feet hi neeche hoga charo taraf
paani hi paani tha maine apni nazar tez ki mujhe uss jheel ke baad ke jungle dikhne lage
jitni door bhi maine dekhne ki koshish kimujhe ya toh paani dikha ya jungle

Main:- ye awaaz kaisi maine jaise hi apne right ki taraf dekhameri aankhen badi ho gayi
mere taraf tezi se ek aag ka gola aa raha tha maine usse rokne ke liye apne haath aage
kiye par ye kya wo gola ruka nahi aur mere aar paar ho gaya

Main:- oh teri ki ab ye kya jaadu hai maine apne peeche palat kar dekha toh ek naya jhatka
laga ye jhatka kuch zyada hi bada tha mujhse thodi hi door bohat saari parchaiyan khadi
thi unke chehre par surya sa tej tha wo do bhaag me bate hue the ek bhaag me jo
parchaiyan thi unhone lambe safed kapde pehne hue theaur dusre bhaag ki parchaiyon
ne bhi safed kapde hi pahne the par un kapdon ke upar black stripes yani kaali pattiyan
lagi hui thi wo aag ka gola unki taraf hi jaa raha tha par unhone uss gole ko bekaar kar
diya aur fir unki taraf se humla hua mujhe kuch samjh nahi aaya kyu ki ye hamla bhi meri
taraf hua tha aur iss baar bhi unka chhoda astra mere aar paar ho gaya tha maine dusri
taraf dekha jahan unka astra ja raha tha mujhe door pure black kapde me ek saaya khada
hua dikha

Main:- saala iska chehra dhundla kyu dikh raha hai maine apni indriyon ko tez kiya taaki
usse dekh sakun par koi faayda nahi hua par ab tak main samjh chuka tha ki main uss book
ki duniya me hun yaha mujhe koi dekh nahi sakta

Main:- oh shit matlab ye sab wo holy spirits hain aur ye jiska chehra nahi dikh raha hai ye
wahi devil haijisne unhe maara tha iska matlab main jiske upar khada hunyahi Dhawali
jheel hai aur ye waqt bhi mere waqt se laakhon saal purana hai mujhe ek jhurjhuri si
mehsoos hui ab aap hi sochiyeapne waqt se laakhon saal pehle pahunch jana jis waqt
insaan chhodo hamara planet bhi naya naya bana thawo feeling kaisi hogi kuch waqt laga
par fir main normal ho gaya ab wo waqt aa gaya tha jiske bare me Nana ji ne bataya tha
uss devil ne apne haazar roop kar liye the aur chhal se un spirits se ladh raha tha main uss
devil ke har moov ko uski har chaal ko bade dhayan se dekh raha tha aur uske har hamle
par mere mouh se waah nikal jata tha wo tha hi itna tez bhale hi usne hazaaron roop le
liye the par dimag toh ek hi ka chal raha tha na iske peeche

Main:- arre bacho shittt gaye kaam se devil ne dhoke se ek spirit par wo spear ghusa diya
tha aur dekhte hi dekhte saare holy spirits uss spear ke andar jane lage booomm jaise hi
sabhi holy spirits uss spear me saamyeek zor ka blast hua wo devil udta hua door jaa gira
uske saare roop bhi gayab ho gaye wo spear upar aasman ki taraf jane laga aur ek unchayi
par pahunchkar wapas tezi se neeche jheel ki taraf aane laga uss devil ko bohat chot aayi
thi par apni chot ki parwah na karke wo udte hue uss jagah jane laga jahan wo spear girne
wala tha par uske pahunchne se pehle hi wo spear jheel me sama gaya spear ke peeche
peeche wo devil bhi jheel ke andar ghus gaya booomm jheel ke beech me jahan par spear
gira thaek zor ka dhamaka hua kuch 10 second me hi us jheel ka pura paani sukh kar
zameen ke neeche chala gaya aur uss jheel ki satah jo safed thi kaali pad gayi wo devil
wahi satah par khada thaapne ghutno par baith gaya

Devil:- nahiii idhar main buri tarike se chonk gaya kyu ki uss devil ke mouh se jo aawaaz
nikli thi wo meri thi main uss devil ke paas aage badhne ko hua hi tha ki mere charo taraf
tez roshni faile gayi aur agle hi pal main apne kamre me tha

Wahi heaven me:

St Cecilia:- mujhe aaj tak samjh nahi aaya Vikram aur Asmodeus ki awaaz ek si kyu?

St Sebastian:- ek hi pita ke do bete hain bas karwat badal kar lete hain

Dada ji:- kya hua bacha main dekh raha hun jabse tu aayi hai bujhi bujhi si hai kya apne
dadu se naraz hai subah ka waqt hai nashte ke baad Avantika chup chaap uthi aur apne
bedroom me aakar kuch padhne lagi ye aur kisine toh nahi par Dada ji ne note kar liya tha
wajah janene ke liye wo Avantika ke peeche peeche uske room me aa gaye the

Avantika:- dadu maine aapko ye pehle bhi kaha hai ki main aapse naraz ho hi nahi sakti

Dadu:- naraz nahi hai par udaas toh hai na apne dadu ko nahi batayegiki kyu udaas hai

Avantika:- fiki smile ke saath bas aise hi dadu maine itni luxerious zindagi ji hai jo bhi
chahiye hota wo maangne se pehle hi aap ya dad mere saamne rakh dete hain par

Dadu:- par kya putar

Avantika:- kal mujhe pata chala ki jo kuch bhi hamare paas haiwo hamara hokar bhi
hamara nahi hai ye ghar gaadiyan paise sab kuch hamari mehnat se hame nahi milaye sab
toh najane kitne logon ki mehnat se kamaye paiso ko cheen ke bana hai ye sab janene ke
baad main khush kaise reh sakti hun

Dada ji:- beta maine aur tere papa ne jo bhi kiya sab tere achi bhavishya ke liye kiya hai
Avantika bas apne Dada ji ki baat sunkar hans di

Dada ji:- kya hua putartujhe meri baat par vishwas nahi hai kya?

Avantika:- dadu aaj zindagi me pehli baar aap apne aap ko mere saamne justify karne ki
koshish kar rahe hain bas issliye hasi aa gayi

Dada ji:- beta main toh bass

Avantika:- daduek jhoot ko chhupaane ke liye aur kai jhoot bolne padte hain toh pleaseye
sab mat boliye

Dada ji:- beta maine kya jhoot bola?

Avantika:- sach hi kya bola hai aapne dadu aap kehte hain ki mere liye aapne aur dad ne
galat raasta chuna jabki jis waqt aapne galat rasta chuna thaus waqt main toh kya dad bhi
aapke zindagi me nahi aaye the yaad hai uss din Vikram ne aapse kya kaha tha ki ek waqt
ke baad jab galat kaam karke hi sahi par aapke paas ache paise aa chuke theagar aap
chahte toh galat raasta chhod koi chota mota business kar sakte the par aapne nahi kiya
ulta aur bade bade illigal kaamo me haath daalne lage aur dadwo toh paida hi rich hue
the unhe kya zaroorat thi illigal kaam karne ki uske upar aapne unhe ye kaha ki
Dhawalgarh ki saari zameen hamari honi chahiye aakhir kisliye dadu pata hai dadu kal jab
mujhe pata chala ki uss Vikram ne dad par haath uthaya hai toh main uske ghar gayi thi
usse baat karne pata hai tab kya hua Vikram mera haath pakad kar mujhe apne ghar ke
aangan me le gaya jahan uski family khadi thi uski mom ne sabke saamne uspar chilla diya
kiske liye jiske dad uske puri family ko maarne gaye the uske liye zindagi me itna chota
maine kabhi mehsoos nahi kiya dadu jitna uss waqt kar rahi thi ya ab kar rahi hun ye bolte
bolte Avantika ke aansu nikal gaye wo bhagti hui kamre se bahar nikal gayi

Dada ji:- Vikramm Jairaj Singhh bas kuch din ki aur zindagi bachi hai tere paasjitna jeena
hai jeelee

Wahi dusri taraf:

Pujari ji:- iss dhaage ko dyaan se pakadna jab tak hum iss jagah ko pura bandh na de iss
dhaage ka koi bhi sira chhutna nahi chahiye Pujari ji ek laal dhage ko nikalkar uska ek sira
apni biwi ko pakdate hue bole
Pujari ji’s wife:- thek hai par ye kehte hue Pujari ji ki biwi ki aankhon me aansu aa gaye
the

Pujari ji:- nahi nahi Bhagwati ye dukh ki nahi khushi ki baat hai tumhe iss baat se prasann
hona chahiye ki sadiyon purv parmeshwar dwara jo zimeedari hamare kul ko mili thi usse
tumhare suhag ko pura karne ka mouka mila hai afsos mat karogarv mehsoos karo aur
iske baad tumhe kya karna haiwo bhi tumhe gyat hai Pujari ji ki wife ne bas bheegi
aankhon se apna sir haan me hila diya kyu ki ye raat ka waqt tha aur dono Dhawali jheel
ke paas thejo ki Dhawalgarh ki bahari seema me tha toh iss waqt waha kisi aur ka hona ya
achanak aana sambhav nahi tha Pujari ji laal dhaage ke ek sire ko pakde pakde kuch
mantra ucharan karte karte aage badhne lage unke peeche uss dhaage ke dusre sire ko
pakde hue unki biwi chal rahi thi wo kuch door hi gaye the ki unki sharir me garmi badhne
lagi par Pujari ji ruke nahi wo aage badhte gaye jaise jaise wo aage badh rahe theunke
sharir me garmi badhti jaa rahi thi unka sharir garmi se paida hue jalan ki wajah se laal
hone laga par isse unke chalne me koi rukawat nahi aayi wo lagatar aage badhte hi jaa
rahe the garmi ki jalan ke wajah dse unhe asahniya dard ho raha thapar unke chehre par
muskurahat thi maano ye dard unka koi bichada hua dost ho jiska unhone zindagi bhar
intezar kiya hai bhale hi Pujari ji muskura rahe theunhone chalna band nahi kiya tha nahi
mantra ucharan ek second ke liye bhi roka thapar unke awaaz ki kampan se unke peeche
chalti wife ko unki stithi ka ehsaas ho gaya tha unka pura chehra aansuon se bhar gaya
tha par wo chup chaap apne husband ke piche piche chal rahi thi dheere dheere waqt
beetne laga Pujari ji aur unki wife dhwali jheel ki parikrama karte rahe aur kuch ek ghante
ke baad Pujari ji ne jahan se ye parikrama shuru ki thi waha wapas pahunch gaye
parikrama khatam hote hi waha ki mitti ka colour phir se pehle ki tarah kaala ho gaya
aakhri baar mantra bolte waqt Pujari ji ki awaaz bohat dheere nikli thi parikrama khatam
hote hi Pujari ji ki wife dhaage ko chhodkar turant Pujari ji ko dekhne ke liye unke saamne
aakar khadi ho gayi nahhiii Pujari ji ko dekhkar unki wife ke mouh se cheekh nikal gayi
Pujari ji ka pura chehra pura sharir jal gaya tha bas unki aankhon ki putliyan aur honth
thode se thek the par dekhte hi dekhte wo bhi jal gaye dhammm Bhagwati wahi gir gayi
wo ek tak saamne apne pati ke jale chehre ko dekh rahi thi achanak uss jale chehre par
ek taswir banane lagi aur kuch der baad gayab ho gayi Pujari ji ka sharir dehne laga aur
dekhte hi dekhte Bhagwati ke saamne pujari ji ki raakh padi thi

Awaaz:- ro mat putri iss sach se toh tum pehle se awgat thi naa tumhare pati ne apna
balidan saharsh swikar kiya hai agar wo chahte toh stri sneh ya putra sneh me bandhkar
iss balidaan ko dene se mana kar sakte the par unhone apne kartavya ko sansarik rishton
se upar rakha iske liye unhe swarg me sarvoch samman aur uchit sthaan prapt hoga

Bhagwati:- main bas unhe aakhri baar dekhna chahti thi uss divya aawaaz ko sunkar
Bhagwati ke jo aansu ruk gaye the ye bolte bolte ek baar aur chalak pade usne apna sar
jhuka liya Bhagwati awaaz sunkar Bhagwati ne turant apna chehra uthaya apne saamne
jo tha usse dekh unke aankhon me jo dard tha wo aashcharya me badal gaya

Pujari ji:- Bhagvati rokar tum meri aatma ko kasht pahuncha rahi ho yahi meri niyati thi
na main isse bhaag sakta thana tum ab yun udaas hona chhodo aur jo taswir abhi tumne
dekhi unke paas chali jao unke saath rehna hi tumhari manzil hai aur mere balidaan ka
tumhe milne wala puraskaar bhi ye bolkar Pujari ji ki aatma gayab ho gayi tabhi ek tez
roshni hui aur jab ghati toh Bhagwati ke pairon ke paas ek kalash tha Bhagwati ne apne
pati ki raakh uss kalash me daala aur apne ghar ki taraf chal di

Wahi dusri taraf:

A/Dad:- beta itni jaldi jaa rahi hai kuch din aur ruk jati

Avantika:- dad holidays thodi na hain main toh leave par aayi hun jitne din rukungi padhayi
ka utna zyada loss hoga

Dad:- chal thek hai par jab bhi dil kareaise hi surprise dete rehna beech beech me aakar

Avantika:- pakka dad Avantika apne dad ke gale lag gayi

Dada ji:- par next time with security ok

Avantika:- haan dadu pakka aur kitni baar bolun

Dada ji:- beta jab tu dadi banegi naa tab tujhe pata chalega

Avantika:- lai apbhi padhayi puri bhi nahi huimeri shayadi bhi nahi hui aur dadu last level
ki baat kar rahe hain sabhi Avantika ki baat par hans diye

Dada ji:- aise hi hamesha khush raha kar bacha Avantika ne bhi apne Dada ji ko smile dekar
hug kiya fir baari baari sab se milkar car me baith nikal gayi gai

Avantika:- thank God ab thoda acha laga itne dino se jo kuch ho raha tha usse ghar me
toh mujhe ghutan si lag rahi thi par ab jo hua so hua Mumbai jaakar ek fresh start karungi
par madam ko nahi maalum tha ki wo jis leechad khaandan se hain unki jaden itni aasani
se apne kisi bhi branch ko chhodegi nahi ek aur kaand hamari madam ka Mumbai me
intezar kar raha tha

Back to hero:

Nana ji:- arre beta ye kya kar raha hai? ye bohat bhari hai ek aadmi se nahi uthega maine
kuch aadmi bulaye hain wo rakh denge

Dad:- arre papa main kar raha hun naa main rakh dunga

Nana ji:- nahi bola naa tu wo sab bags rakh de abhi shaam ka waqt hai aur hum sab
Mumbai ke liye nikal rahe hain hamara toh kuch aur din rukne ka plan tha par kal raat ki
wajah se mera mann khatta ho gaya tha aur maine aaj hi jane ka faisla kar liya tha ab kal
raat aisa kya hua thaye main aapko kuch der me batata hun filhal ke liye abhi ke chal rahe
scene me wapas chalte hain

Main:- kya naanu ek bakse ko uthane ke liye aadmi bulaye hain aapne

Nana ji:- beta size toh dekh iska aadmi toh lagenge naa

Main:- nahi lagenge maine bakse ke hook ko pakda aur upar karte hue neeche haath rakh
bakse ko utha liya aur nanau aur dad ke chehre par shocking looks ko muskurakar dekhte
hue baksa pakde bus ki tarf badh gaya

Nana ji:- ye ek 16 saal ka ladka hi hai naa kitni taakat hai isme iss bakse ka wajan 200 kg
se zyada hai aur isne isse aise utha liya jaise baksa na hokar koi takiya ho

Dad:- Guru ji ne sach hi kaha tha

Nani ji:- Guru ji kaun Guru ji aur kya kaha tha unhone? Nani ji jo mom aur mousi ke saath
dad aur Nana ji je paas pahunch chuki thi unhone dad ki baat sunli thi par dad se pehle
mom ne sabko mere janm ke samay kya kya hua thaaur naam karan ke din Guru ji ne mere
bare me kya kya kaha thawo nananani aur mousi ko bata diya mere janm ke waqt mom
ki jaan ko khatra tha ye jaankar Nana ji aur naniji shocked reh gaye aur kafi dukhi ho gaye

Nana ji:- kaisa baap hun main apni bacchi ko khud se alag kar diya jab wo khud ek maa
banane wali thi uski zindagi mout ke darwaaze par khadi thi usse hosla dene ke liye bhi
main moujud nahi tha Nani ji toh bas mom ko gale lagakar rone lagi mousi ji ke aankh me
bhi aansu the

Nani ji:- hame maaf kar dena meri bachi hum ache maa baap nahi ban paye
Mom:- aisa kabhi sochna bhi mat maa maine mere bete ko wahi sanskar diye hain jo
aapne mujhe diye the aapse behter maata pita ho hi nahi sakte hain

Hum:- aur naa hi behtar nana nani sabne saamne ki taraf dekha jahan hum teeno kamar
me haath rakh ghusse wale look ke saath khade the

Main:- aap logon ke paas aansuon ka koi nal hai kya jo jab chaho on ho jata hai aur ye sab
kya baatein lekar baith jaate hain aap log na zindagi humare haath me hai aur na mout
toh fir iski possibilities ke bare me kyu sochna filhalis moment me hum sab saath
hainkhush hainkya itna kafi nahi hai aur naanuaapne ek beti ko janm diya aur unki wajah
see aur beta bhi mil gaya mere dad ke roop me agar aap ache nahi hote toh ishwar aapko
itna sab kuch kyu dete

Anjali:- right toh ab no more serious discussions aur rona toh ab se ban hai

Ronit:- issliye ye sab chhodiye aur ek baar re check kar lijiye sab samaan bus me rakha
gaya hai ya kuch baaki hai

Mama ji:- bilkul sahi bhanje ab koi aur baat nahi main toh itna excited hun Mumbai jane
ke liye ki bata nahi sakta Mama ji bhi Mumbai shift hone ke naam se bachon ki tarah jhush
ho gaye the wo pure Dhawalgarh me subah se ghum ghum kar bata rahe the ki wo
Mumbai shift ho rahe hain

Nani ji:- arre Bhagwati aao beta ji haan dostonye wahi Bhagwati aunty hain Pujari ji ki biwi
maine palat kar dekha toh mere piche Bhagwati aunty apni beti ke saath khadi thi main
unke paas gaya aur unki gudiya ko godh me utha liya

Main:- arre meri gudiya aa gayi Aashi ne apna sar haan me hila diya maine uske gaal pe
kiss kar diya mujhe Aashi ko godh me pakde dekh komal bhi bhaagkar mere paas aayi aur
meri jeans kheechne lagi maine usse bhi godh me utha liya sabhi komal ki harkat dekhkar
hans diye

Main:- Ronit choti maa ke bags bus me rakh de Ronit ne Bhagwati ji se unke bags liye jo
sirf naam ke hi the aur bus ki taraf chala gaya

Dad:- kya baat hai choti teri nazarein kyu neechi hai

Bhagwati:- kaha bhaiya main toh bas aise hi

Main:- choti maa ko sharm aa rahi hai ki unke paas itna kam samaan hai haina choti maa
Dad:- Bhagwati tujhe mere bete ne choti maa kaha haiaur maine apni behan maana
haitoh dobara khudko kam kabhi mat samjhna

Mom:- aur nahi toh kya Swati ke roop me mujhe ek behan mil gayiaur tere roop me ek
nanad hume itna rahis banakar khudko kam kaise samjh sakti hai tu

Choti maa:- ab se aisa kuch nahi sochungi

Ronit:- all set ab chalen

Dad:- papa chalen

Nana ji:- chalo hum sab ghar se bahar aaye Nana ji ne ghar ko taala lagaya bahar bohat se
log Nana ji ko alvida kehne aaye hue the Nana ji aur Nani ji sabse mile bus me chadhne se
pehle Nana ji aur Nani ji ne ek baar palat kar apne ghar ki taraf dekha itni yaaden jo judi
thi iss ghar se unki

Dad:- papa sad kyu hote hain hum har saal chuttiyon ne yaha aaya kare ge Nana ji ne dad
ke sar par haath fera aur bus me chadh gaye sabhi Nana ji ke peeche peeche bus me chadh
gaye sabse aakhir me main chadha

Main:- aaj toh main komal aur Aashi ke saath baithunga maine bus me chadhte hi kaha

Ronit:- toh fir last seat me chala jaa waha jagah bhi bohit hai ye dono khelengi toh bhi
jagah kam nahi padegi

Main:- thek hai main jaakar aakhri seat par baith gaya driver ne bus aage badha di komal
aur Aashi mere right side me baithe khel rahe the aur main khidki se bahar dekhte hue
kal raat jo hua book ne jo bhi mujhe bataya un baaton me fir kho gaya

Flashback of yesterday night:

Main:- kya yaar thodi der aur rukne deta toh tera kya jata uss devil ki awaaz mujhe apni
aawaz si lagi thi main uske paas jane ke liye utha hi tha ki book ne mujhe waha se nikaalkar
wapas room me laa diya tha

Main:- chaloye toh pata chal gaya ki Dhawali jheel me aakhir hua kya tha par mujhe ye
sab ye book kyu bata rahi hai? kya mera koi rishta hai iss jheel se main ye sab apne aap se
hi bol raha tha par ye bolne ke baad meri nazar uss book pe chali gayi jiske kore panne
par haan likha hua tha

Main:- haan matlab uss panne par fir kuch likhane laga
Book:- tumhe uss spear ko haasil karna hai main ye sunkar shocked ho gaya aur thoda
nervous bhi shocked issliye kyu ki main kuch der pehle waha moujud tha jahan uss spear
ne un holy spirits ko nigla tha aur fir gayab ho gayi aur nervous issliye kyu ki maine uss
devil aur un holy spirits ki ladhai dekhi thi aur dono taraf ki shaktiyan shayad iss
bramhaand ki sabse khatarnaak taakatein thi jab spear unke haath me nahi aaya toh mere
haath me kaise aata yaha meri soch khatam hui waha uss panne me kuch likhane laga

Book:- wo spear tumhara hi intezar kar rahi hai aur iska sabse bada suboot main hun main
sirf usse hi mil sakta tha jo uss spear ka hakdar ho

Main:- okk toh kabse shuru karun main uss spear ki talash abhi se uss panne me fir kuch
likhane laga par iss baar jo likha aaya usse dekhkar main fir chonk gaya

Book:- supragupta pragatam book me mere andar jo book thi usse bahar nikalne ka
mantra likha hua tha maine waha ka likha repeat kar diya ek tez roshni ke saath wo book
mere andar se bahar aa gayi

Book:- tum abhi itne shaktishali nahi ho ki uss spear ki urja ko sambhal sako

Main:- toh fir mujhe kyu ye sab bataya gaya hai

Book:- taaki tum uske layak ho jao

Main:- kya mujhe firse kisi training me jana padega

Book:- jo training tumne li thi wo issliye nahi li thi ki tum yudh kala aur mantron ka
istemaal sikh pao wo training tumhe sirf khudke indriyon ko jagane ke liye aur khud ko
pehchanane ke liye di gayi thi indriyan toh tum jaga chuke ho bas tumhari asli taakat soyi
hui hai jo ek waqt ke baad jaagne lagengi aaj tak mere dwaara tumne jitne bhi praanghati
aur vidhwanshak mantra sikhe hain wo sab tum tabhi istemaal kar paoge jab tumhari
shakti mere mantro ke urja ko jhelne ke layak ho jayegi

Main:- ek baat batao God ke baad sabse takatwar kaun hai?

Book:- jo tumhe maar sakta hai?

Main:- mujhe maar sakta hai matlab

Book:- bas itna samjh lo ki shakti shaali hone ki koi hadh nahi hoti kyu ki shakti anant hai
par har shakti ka shroth param pita parmeshwar hain tumhari shakti wahi tak simit hai
jahan tak tumhari soch jati hai soch khatam shakti khatam
Main:- toh uss spear ko haasil karne ke liye mujhe aur shaktishaali hona padega

Book:- utna kafi nahi hai wo samay aane wala hai jab tum apne shakti ke ek khaas bhaag
ko prapt karoge par uss spear ko haasil karne ke liye wo shakti paryapt nahi hai holy spirits
ke andar bhi aseem shaktiyan hainpar fir bhi wo uss spear se bahar nahi aa paa rahe
hainkyu ki uss spear ke andar har ehsaas kaid ho jata hai aur pichle laakhon saalon se wo
spear apne andar kaid holy spirits ko beintaha dard de raha hai jiski wajah se wo dhayan
nahi laga paa rahe hain aur tumhe toh pata haibina dhayan ke koi bhi spells kaam nahi
karte us spear ke paas pahunchte hi tumhe bhi wahi dard hoga aur tum koi bhi spell nahi
bol paaoge

Main:- toh fir main kaise uss spear ko haasil kar sakunga

Book:- pida avlokya ti (absorve pain) aaj se har waqt tumhe iss mantra ka jaap apne mann
main karna hai isse tumhari sehen shakti kai guna badh jayegi uske baad bhi tum uss spear
dwara diye gaye dard ko bardasht kar paogeye kahanahi jaa saktakyu ki waha tumhari
iccha shakti ka bhi utna hi yogdaan rahega jitna iss mantra ka hoga

Main:- thek hai

Enchantment book:- ek aakhri drishya hai jo main tumhe dikhana chahta hun

Main:- mastishka pravishati ek tez roshni ke saath mere saamne ek naya seen aa gaya
jaise jaise wo scene aage badh raha thameri aankhon se aansun behne lage the main iss
baar bhi main Dhawali jheel ke saamne hi tha aur waqt bhi abhi ka hi tha mere saamne
ek Pujari ji the jo pure jheel ki parikrama kar rahe the unke peeche peeche unki patni thi
kuch hi der me wo Pujari ji mere aankhon ke saamne jal kar raakh ho gaye aur reh gayi
unke peeche roti bilakhti hui unki patni par uske bad kuch aisa hua ki main firse chonk
gaya raakh me badal chuke Pujari ji ki raakh ke upar meri taswir aur details dikhne lage
main aur nahi dekh paya maine apni aankhen band ki aur jab kholi toh main apne kamre
me hi tha

Book:- uss pujari ka wo haal uss spear ki wajah se hua hai

Main:- par wo waha kar kya rahe theaur jab unhe jalan shuru hui tab wo ruke kyu nahi

Book:- yahi uski niyati thi Vikram ab wo jheel puri tarike se surakshit hai koi bhi buri shakti
ab waha nahi aa sakti jab tum yaha wapas aane ke liye tayar hoge tab koi bhi bahari
baadha tumhare raaste me nahi aayegi pujari ki patni aur uski bachi ki zimmedari ab
tumhari hai Vikram mere chehre par bas ek fiki si muskaan aa gayi
Main:- mere zimmedari lene se kya unke pati jinho ne sirf mera raasta aasan karne ke liye
khud ki jaan de dikya wo wapas aa jaate? anjaan hokar bhi kitna bada bojh daal gaye mere
upar

Book:- satya ki raah par bohat si kurbaani deni hoti hai Vikram tum koi sadharan
manushya nahi hoin jasbaati baaton se bahar niklo

Main:- agar jasbaat na hote toh insaan aur shaitan me fark hi kya hota khair ye aap nahi
samjhengi

Book:- main jis cheez se bani hun Vikram jis din tumhe uss raaz ka pata chalega tumhari
soch badal jayegi wo enchantment book ussi waqt gayab ho gayi aur meri book wapas
mere andar chali gayi

Main:- namaste aaj subah jab main bahar aaya toh maine Nani ji aur mom ke saath ek
lady ko khada paya ye aur koi nahi unhi Pujari ji ki patni thi maine sidhe jaakar unke pair
chu liye

Bhagwati:- (mann main) kyu mujhe paapi bana rahe hain aap main toh aapke charon ki
dhool bhi nahi

Main:- (mann main) aapne jo kiya wo koi aam insaan nahi kar sakta aap meri nazar me
meri maa se kam nahi

Mom:- beta kya tu inhe janta hai?

Main:- nahi mom bas mera dil kiya toh maine pair chu liye

Nani ji:- Bhagwati beta jo hua usse badla toh nahi ja sakta ab bhagwaan ke aage kisiki chali
hai

Main:- kya hua?

Mom:- beta kal raat inke ghar me aag lag gayi ye aur inki bachi bahar aangan me soye the
ghar ke andar inke pati hi the jo bahar nahi aa paye aur jal gaye unki mout ho gayi

Nani ji:- beta jaakar apne papa ko bula la toh main dad ko bulakar le aaya

Nani ji:- beta ye Bhagwati hai fir unke saath jo hua wo nani ne dad ko bata diya jise sunkar
dad bhi kafi sad ho gaye

Nani ji:- main kya keh rahi hun iska iss duniya me koi nahi hai kya hum isse bhi apne saath
le chalen
Dad:- ye aap mujhse puch rahi hain mummy permission hum aapse lenge aapka kaam toh
faisle sunane ka hai dad ki baat sun Nani ji ka seena garv se ful gaya

Nani ji:- toh thek hai fir Bhagwati tu hamare saath Mumbai chal rahi hai ab se tu wahi
rahegi hamare saath

Main:- kya main aapko choti maa bula sakta hun? sabhi meri baat sunkar shocked ho gaye
kyu ki main kisi se bhi aasani se rishten banata nahi tha Bhagwati ka toh ascharya ka
thekana nahi tha

Main:- kya hua bataiye naa bula sakta hun ki nahi Bhagwati aayi aur mere gale lag kar
rone lagi

Dad:- arre waah maza a gaya mujhe pehle pata hota ki mujhe iss gaav me aate hi itne
saare rishte mil jayenge toh main kab ka aa jata aaj se tum meri choti behan

Mom:- arre waah yani ki ye maeri nanand ban gayi aise hi kuch hi der me ek sad wala
mahoul khushi me badal gaya maine sabko Mumbai aaj hi chalne ke liye kaha jise pehle
toh koi nahi maan raha tha par mere padhayi ki baat bolte hi sab maan gaye aur iss tarah
hum abhi bus me baithe Mumbai ke liye nikal chuke the

Wahi heaven me:

St Alfrick:- wo waqt door nahi jab Vikram apne pehle padhav ko paar karega

St Sebastian:- par khatra abhi tala nahi hai us pujari ki tarah hame bhi ek kaam soumpa
gaya hai

St Cecilia:- haan sahi kaha hame jald se jald kuch karna hoga Vikram ke Dhawalgarh wapas
aane se pehle ek baar Vikram ne holy spirits ko uss spear se aazad kar diyatoh wo spear
bekabu ho jayegi holy spirits ki wajah se uski aadhi shakti ****** me jaakar ruk gayi hai
holy spirits ke bahar aate hi wo tezi se apne spear me samaane ke liye niklegi hume usska
raasta baandhana hoga warna apni urja se wo jahan se bhi guzregi waha vinash hoga

St Sebastian:- abhi hum kuch nahi kar sakte aur tum iska kaaran bhi janti ho unke waha
se nikalne ke baad hi hum apna kaam kar sakte hain

bhaiyaaa

Riyansh:- finally meri gudiya aa gayi raat ke kareeb 10 baje Avantika ki car Mama ji ke
lawn me enter hui Avantika ghar me ghuste hi apne saamne apne bade bhai ko dekh kar
surprised aur khush ho gayi Avantika doud kar gayi aur apne bhai ke gale lag gayi
Avantika:- what a pleasent suprise big bro yun achanak aap yaha kaise?

Riyansh:- bas apni gudiya ki yaad aa gayitoh aa gaya

Avantika:- na na something iss fishing chaliye bataiye kya baat hai apne machli pakne
paakaane me mujhe toh tu bhul hi gayi

Avantika:- oh my God aap bhi aaye hain awaaz sun jaise hi Avantika ne apni side me dekha
toh apne saamne Devansh ko khade paya Avantika jhat se Devansh ke gale lag gayi

Avantika:- pehle toh mujhe sirf shak tha par aap dono ko ek saath yaha dekh kar mera
shak yakin me badal chuka hai ki kuch toh gadbad hai toh kaun bata raha haiki kya baat
hai?

Devansh:- ye bhala kya baat hui apne bhaiyon se na dua na salaam sidhe sawal ki kya hai
kaam this is not fair yaar

(Riyansh Ahuja: son of Nitin Ahuja Devansh Ahuja: chacha ji ke suputr dono saath hi
Canada se business management ki padhai kar rahe hain)

Avantika:- mujhe apni baaton me aap fasa nahi sakte samjhe

Shanaya:- thoda bohat humse bhi mil le Avantika ne saamne dekha jahan Shanaya aur
Vaani khade the Avantika ne jaakar dono ko hug kiya

Avantika:- kaminiyon dono bhaiya aayen hai ye call karke bata nahi sakte the

Shanaya:- arre aaj morning maine ghar me call kiya tha toh pata chala ki tu yaha ke liye
nikal gayi hai toh humne socha ki kyu na tujhe surprise den

Avantika:- oh toh bhaiyaa

Riyansh:- arre batate hain sab batate hain pehle dinner toh karle tu aa rahi hai iss chakkar
me humme se bhi kisine abhi tak nahi khaya

Avantika:- oh haan sahi kaha bhook toh mujhe bhi zoron ki lag rahi hai chaliye pehle
dinner karte hain waise meri Priyu Mama ji aur maami ji kaha hain koi bhi dikh nahi raha

Vaani:- arre Priyu toh so gayi kal uska test hai toh morning jaldi uthkar padhungi bol rahi
thi aur mom dad toh Delhi gaye hue hai dad ki koi meeting thi aur koi function bhi tha toh
mom ko bhi saath le gaye

Avantika:- chalo fir hum sab toh dinner kar len fir sabhi ne baith kar idhar udhar ki baatein
karte hue dinner kiya
Avantika:- haan toh ab bataiye aur sach haan dinner ke baad sab wahi sofe me baith gaye
toh Avantika ne apna itni der se jo question hang karke rakha gaya tha wo pucha

Riyansh:- pehle tu bata tum sab ke saath itna sab kuch ho gaya aur tune hame kuch batana
bhi zaroori nahi samjha

Avantika:- kya ho gaya humare saath

Shanaya:- Vikramm Vikram ka naam sun Avantika ka dimag ghuma wo samjh gayi ki uske
dono bhai kyu aaye hain

Avantika:- serious tone me bhaiya wo matter sort out ho chuka hai ab uss baat ko
kheenchne ka koi matlab nahi sabhi Avantika ki baat sunkar shocked ho gaye

Devansh:- ye tu bol rahi hai Avni jo kabhi khudke upar koi ungli bhi uthaye toh bardasht
nahi karti thi aaj uspar kisine haath utha diya hai fir khamosh hai

Vaani:- tu hosh me toh hai na babes kya tu hamari aur hamari family ka badla uss Vikram
aur uske doston se nahi lena chahti

Avantika:- haan main nahi chahti kuch bhi karna in sab ki shurat kaise hui thi ye tu bhi
bohat achi tarike se janti hai Vaani Priyu ne uss raat party ka saara sach hume bata diya
tha fir bhi tu khairab iss bare me koi discussion nahi hogi mera sar dard kar raha hai main
sone jaa rahi hun Avantika uth kar jane lagi par fir achanak wo ruk gayi aur palat kar kaha

Avantika:- bhaiya please ho sake toh in dono ne jo bhi aap dono ko bataya hai usse bhul
jaiyega jis ladke se badla lene ke liye inhone aapko bulaya hai usse hum jitna door rahenge
utna hi humare liye behtar hoga Avantika fir palti aur bina ruke apne kamre me chali gayi

Shanaya:- main usse dekh kar aati hun Avantika aur Shanaya ke jane ke baad

Vaani:- iska dimag kharab ho gaya hai yaha Riyansh aur Devansh jo Avantika ki baaton ke
bare me soch rahe the Vaani ki awaaz sun wo hosh me aaye

Vaani:- ab hum kya kare ge bhaiya Avni toh mana kar rahi hai

Riyansh:- mujhe toh ye samjh nahi aata ki meri behan jo hamesha ye kehti thi ki mere
bhaiyo se koi bhi nahi jeet saktawo aaj ye keh rahi hai ki hum usse ladhne ke kabil nahi
hain

Devansh:- haan yaar iska matlab uss ladke ne hamari behan ko itna dara diya hai ki usse
ab hum par bhi bharosa nahi raha
Riyansh:- uss saale ki toh ab tak toh socha tha ki uss ladke ko bas thoda bohat maarkar
darakar chale jayenge par ab nahiab toh saale ki aisi haalat kare ge ki saale ko sapne me
bhi hum usse maarte dikhayi denge

Devansh:- kal tumhare school ke baad uss Vikram se ek mulakat ho hi jaye

Vaani:- nahi bhaiya wo toh kuch dino se school hi nahi aa raha uske dono frnds bhi gayab
hain

Riyansh:- thek hai kuch din intezar kar lenge Wahi Avantika ke room me:

Shanaya:- kya hua hai Avni tu neeche wo sab kyu bol rahi thi kya tu sach me Vikram se
badla nahi lena chahti

Avantika:- kis baat ka badla apne dad ko protect karne ka Mama ji ke dhamki ka jawab
dene ka kis baat ka ya papa kajo uske pure family ko maarne chale theaur usne iss ke
badle dad aur unke aadmiyon ko peeta

Shanaya:- what dad ko par kyu aur kahan? fir Avantika ne Shanaya ko gaav me hue saari
ghatnao ke bare me bataya ye bhi ki unke paas itni doulat kaha se aayi

Shanaya:- yaar itna sab kuch ho gaya aur tu mujhe ab bata rahi hai?

Avantika:- bata bhi deti toh kya ho jata babes jo hona tha wo ho chuka hai ab bas itna
samjhki jo bhi hamare saath hua hai usme Vikram ka koi kasoor nahi hamari family ka hai
toh iss baat ko kheenchna band karte hain that sit yaar main kafi tired feel kar rahi hun
main sone jaa rahi hun g n

Shanaya:- gn jahan upar in dono behano ke mann main Vikram ke liye ghussa kam ho raha
tha wahi neeche unki teesri behan dono bhaiyon ke mann main Vikram ke liye ghussa
badha rahi thi dekhte hai inka kya hota hai

Wahi dusri taraf:

Black soul 1:- uska bhi humme se ek banane ka waqt aa gaya

Black soul 2:- tumhe ye aasaan lagta hai wo Prithvi waasi hai uske sharir ki sarachna aisi
nahi hui ki wo hamme se ek ban paye

Black soul 1:- mujhe ye baat bohat ache se pata hai par maine usse tarasha hai usse aisi
training di hai jo kisi Prithviwaasi ne kabhi nahi li uske sharir ko maine har dard ko sehne
yogya bana diya hai
Black soul 3:- ek baar firse soch lo ek tarike se dekha jaye toh tum apne bete ka balidaan
de rahe ho

Black soul 1:- hamme se ek banana hi uska maksad hai bhale hi uska sharir insaano ka hai
par uska dimag hum devil's jaisa hi hai mujhe pura yakin hai ki wo bhi ek devil banane me
kamiyaab hoga mujhe bas itna batao ki kya tum sab mere saath ho tumhe pata hai ye
main akele nahi kar sakta

Sab souls:- hum tumhare saath hain

Wahi dusri taraf:

Main:- nanu welcome home

Nana ji:- arre ye sab iski kya zaroorat thi beta

Dad:- bilkul zaroorat thi papa aaj pehli baar aap apne ghar aaye hain itna toh banta hai
naa aayiye mummy subah ke 9 baj rahe the hamari bus just abhi hamare ghar ke lawn me
aakar ruki hai bahar nikalte hi Nana ji aur Nana ji shocked ho gaye pura ghar dulhan ki
tarah saja hua tha lawn se ghar ke entrance tak ke raaste me phool bichhe hue the aur un
phoolon ke dono side line se kuch ladke aur ladkiyan khadi thi bas ke neeche Anjali ki
mom aarti ki thaal liye khadi thi unke saath Anjali ke dad aur Ronit ke parents khade the

Dad:- papa inse miliye ye Anjali ke parents hain aur ye Ronit ke dono ke hi mom dads ne
nanu aur nani ke pair chhue

Akash uncle:- pehle ek baat clear kar deta hun aap sirf Jairaj aur Minu bhabhi ke mom dad
nahi ho hamare bhi ho aur wo bhi barabar ke koi kam zyada nahi bolo manzoor hai Akash
uncle ki baat sun hum sab hans diye

Nana ji:- bilkul beta isme puchne wali kaun si baat hai

Dad:- papa mummy chaliye ghar ke andar chalte hain Nana ji aur Nani ji un phoolon se
bane raste par chalkar aage badhne lage jo ladke aur ladkiyan dono taraf khade the wo
unpar phool barsane lage Nana ji aur Nani ji ko toh jo bhi ho raha tha uspe vishwas hi nahi
ho raha tha same haalat Mama ji aur maami ji aur choti maa ki bhi thi Aashi aur komal toh
meri godh se utarne ka naam hi nahi le rahe the Aditya ko Ronit ne godh me uthaya hua
tha hum chalte hue andar aa gaye hamare bunglow ko dekhkar Nana ji Nani ji mousi choti
maa aur bache bohat khush ho gaye

Dad:- finally aaj hamara ghar pura ho gaya


Main:- wo sab toh thek hai par sabse imp baat

Dad:- kaun si baat

Hum Sab:- partyyy

Dad:- ye bhi koi kehne ki baat hai maine gaon se hi aapke uncles ko call karke bol diya tha
Harpret aur Akash ne toh saare arangements ki baat bhi kar li hai

Akash:- bilkul abhi toh aap sab jaiye aur rest kijiye shaam ko sabhi shopping par chalenge
fir kuch khaas nahi hua humne nana nani ko maama maami ko choti maa ko unke kamre
dikhaye aur dusre kaamo me busy ho gaye

Wahi dusri taraf:

Madox:- itna waqt kyu lag raha hai?

Hacker:- footage mil gaya hai sir par clear nahi hai wahi clear kar raha hun iss waqt Madox
apne ghar jo ki kissi kille se kam nahi tha uske computer room me baitha tha Madox ne
Vikram ke bare me har taraf se inquiries karna shuru kar diya tha issi douran usse pata
chala ki uski Ahujas ke saath bhi road ke paas bhidat hui hai usne uss jagah ki chaanbin
karwayi toh pata chala ki jahan Vikram ne fight ki thi waha ek traffic signal tha Madox ne
apne computer expert se uss traffic camera se uss fight ko footage nikalne ke liye kaha
tha

Hacker:- ye bas ho gaya done sir ye rahi uss fight ki footage aap screen par dekh sakte
hain Madox ke saamne ek bada sa screen laga hua tha uspe uss din ki Vikram ki fight
dikhne lagi jaise jaise fight aage badh rahi thi Madox ki aankhen badi hote ja rahi thi

Hacker:- woww so sorry sir fight dekhkar hacker ke mouh se ye apne aap nikal gaya par
ab usse dar lag raha tha ki kahi Madox aisa bolne par usse maar na de

Madox:- tum dar kyu rahe ho tumne kuch galat toh nahi bola aur waise bhi talent aur
taakat dono ki kadar aur taarif honi chahiye (mann main) ye sab karna kisi insaan ke bas
ki baat nahi par ye white energy hai ya black energy ye kaise pata lagaun fir kuch soch kar
Madox ke aankhon me ek dard aa gaya

Hacker:- oh my God ye kya ho raha hai awaaz sunkar Madox ne apne saamne dekha saare
computers jinme puri building ke live videos dikhte the wo achanak band ho gaye the ek
pal ke liye toh Madox chonka par fir shant ho gaya

Hacker:- sir ye achanak kya hua aur main problem ko trace bhi nahi kar paa raha hun
Madox:- tum kar bhi nahi paoge bache ye jo bhi ho raha hai wo tumhari soch se pare hai
tabhi kamre me halka halka andhera chaane lagaaur pura room barf ki tarah thanda ho
gaya abhi koi kuch samjhta ki tabhi ek ke baad ek 10 log jo sar se paon tak kaale kapde
pehne hue the kamre me enter hue un mainse kisi ka bhi sharir ya chehra nahi dikh raha
thaye sab dekhkar hacker apni jagah par jad hokar baith gaya Madox mere bacche kaisa
hai awaaz sun Madox ne apne saamne dekha saamne jo badi si computer ki screen lagi
thi wo ab shuru ho gayi thi parde par bhi ek kaale kapde pehna shaksh baitha tha uska
chehra bhi gayab tha

Madox:- thek hun Black shadow aaj aapne apne iss naakara bete ko kaise yaad kar liya

Black shadow:- tumhara waqt aa chuka hai jahan ab tak Madox kafi udaas sa dikh raha
tha Black shadow ki baat sunkar khushi se uchhal pada

Madox:- kahi ye koi sapna toh nahi mera barso purana khwab kya sach me pura hoga

Black shadow:- ye sab tumhe mere paas lene hi aaye hain chale aao aur wo screen band
ho gayi

Madox:- khushi se chalen

Black soul:- kya ye zaroori hai ek black soul ne uss hacker ki taraf ungli dikhakar Madox se
pucha Madox uss black soul ki baat ka matlab samjh gaya aur muskurate hue naa me
gardan hila di saare black souls ne apne haath aage kar diye aur poore kamre me ek
dardnaak cheekj gunj gayi uss hacker ka pura sharir galte hue black souls me samane laga
saare black souls Madox ko lekar gayab ho gaye

Back to hero:

Ronit:- yaar main kuch soch raha tha apni saari exercises khatam karke ham ek bench par
baithe hi the ki Ronit bhai sahab ne mouh khola

Anjali:- arre waah ye talent tujhme kab se aaya

Ronit:- kyu jab tujhe bakwaas karna aa sakta hai toh mujhe sochna nahi aa sakta kya?

Main:- arre bas karo tum dono mouka milta nahi ki ek dusre ki lene me lag jaate ho haan
toh sir aap bataiye kya soch rahe the aap

Ronit:- main kya soch raha tha arre haan main soch raha tha ki dekh tu ne jitne bhi fighting
techniques exercises hame sikhaye humne sab seekh liye tu na hame aur hard training
kara ab toh itni exercises ke baad bhi mujhe thakan hi nahi lagti
Anjali:- mujhe bhi din bhar mujhe fresh lagta hai chahe kitna bhi padhu kuch bhi karun
thakan toh lagta hi nahi hai

Main:- dekho yaaron tumhe ye sab sikhane ki do wajah thi ek toh yahi ki tum dono apni
rakhsha khud kar sako

Ronit:- ye wali toh malum hai dusri kaun si wajah hai?

Main:- usse batane ka abhi waqt nahi aaya par jo bhi reason hai wo hai bohat important

Anjali:- chal thek hai jo bhi reason ho pata toh aakhir me lag hi jayega abhi ghar chalte
hain aaj ki party ki saari zimmedari bhi hum teeno ke sar par hi hai

Main:- haan wo toh hai chalo fir ghar chalte hain hum teeno apne apne ghar nikal gaye fir
din bhar kuch khaas nahi hua hum sab party ke decorations me lag gaye party ki shopping
toh humne kal shaam hi kar li thi nana nani ka ye Mumbai ya fir ye kahu kisi bhi sheher
mer first time tha sheher ki aadhunikta ko dekhkar wo kafi shocked aur prabhavit the
same haalat maami aur choti maa ka bhi tha humne sabki jam ke shopping karwayi Aashi
kajal aur Aaditya ko toh maine itne gadgets aur khilone lekar diye ki unhe le jane ke liye
dad ko call karke ek truck bulwana pada insab ke beech dad ne Nana ji aur Nani ji ko apne
saath hi rakha tha jahan se bhi mere dad guzarte logon ke sar dad ki izzat me jhuk jaate
har koi dad se haath jodkar hi baat kar raha tha jise dekhkar Nana ji aur Nani ji bohat
khush ho rahe the unhe apne damad love water bete par garv mehsoos ho raha tha aise
hi party organizing karte hue pura din kab nikal gaya pata hi nahi chala aaj ke party ke liye
maine ek blue sherwani li thi jo abhi main pehen chuka tha

Ronit:- waah bhai aaj toh ladkiyan flat

Main:- tu kuch mat bol saale last time jab tu ne aisa bola tha toh mujhe thappad pada tha

Ronit:- abbe wo toh un manhoos logon ki wajah se har baar aisa thodi na hoga bhagwaan
ke ghar me der hai andher nahi dekhna aaj zyada se zyada tujhe gaali pade gi lekin maar
nahi padega

Main:- jab shakal achi naa ho na toh kam se kam baatein achi karni chahiye samjha tum
logon ka ho gaya toh chalen humne darwaaze ki taraf dekha toh hamari nazar theher hi
gayi jise shabdon me piroya nahi jaa sakta kuch aisi khubsurti liye hamari Anjali khadi thi
aur ek baar fir hamare Ronit bhai saahab flat ho gaye
Main:- ek baar fir se shabd hamare honge par feelings hamare bhai sahab ke ki tera ye
bepanah husn humse saha nahi jata Ronit meri baat sun hadbada gaya aur Anjali sharma
gye

Anjali:- tu kabhi nahi sudhrega naa chalo ab neeche chalte hain raaste me

Ronit:- abbe saale har baar mujhe kyu fasa deta hai tu

Main:- main fasata hon saale fattu

Ronit:- fattu kaise?

Main:- tujhe jab iska jawab mil jayega toh mujhe bhi bata dena

Ronit:- tu aur teri ulti sidhi baatein hum aise hi masti karte hue lawn me aa gaye jahan
laghbhag saare mehmaan aa chuke the saala sabhi mujhe aise ghur rahe the jaise pehli
baar kisi bande ko dekh rahe hon khair mujhe kya hum teeno apne gharwalon ke paas
pahunche jo stage ke paas hi khade the

Nana ji:- aa gaya mera sher

Nani ji:- nazar na lage mere bache ko kitna sundar dikh raha hai Nani ji ne ek kaala tika
lagate hue kaha

Mom:- dikh toh meri Anjali bhi bohat khubsurat lag rahi hai

Dad:- mera dusra beta bhi kisi se peeche nahi hai aise hi kuch der hum baat karte rahe fir
dad stage me chadh gaye

Dad:- ladies and gentleman aaj ki ye party maine aap sab ko mere dad aur mom se milane
ke liye rakhi hai please mom dad aayiye naa ek flash light Nana ji par gayi aur ek Nani ji
par mom dono ko lekar stage par aa gayi kafi saare photographers aur media aayi hui thi
sabne nana nani mom dad ke snaps liye

Dad:- ek aur anouncement baaki hai aap sabko toh pata hai ki main ab hotels ki ek chain
kholne wala hun aaj aur abhi main aap sab ke saamne apne pehle hotel ka aur uske owner
ka naam announce karunga

Media:- owner sir owner toh aap hi honge naa

Dad:- haan par puri authority meri nahi hogi toh ladies and gentleman I present to you
the model and name of my first hotel is hamare peeche hi ek parda laga hua tha dad ke
haath dikhate hi wo parda hat gaya aur jo naam saamne aaya usse dekhkar mom ke
aankhon me aansu aa gaye

Dad:- Amrish palace yahi hai hamare pehle hotel ka naam aur iske owner hain mere saale
sahab Mr Rajendra Sehgal ye dusra jhatka tha sabke liye

Nana ji:- beta ye sab ki

Dad:- please dad ye bilkul zaroori tha Mama ji toh dad ke gale lag gaye maami ji ke bhi
aankh me aansu aa gaye

Mom:- dad ke kaan me thanks dad bas muskura diye

Anjali:- ok then no more emotional stuffs now pichle baar ki hamari party adhuri reh gayi
thi aur uske saath saath hamari ek farmaish bhi jo aaj puri hogi

Nana ji:- kya farmaish beti par Anjali kuch boli nahi aur meri taraf dekhne lagi maine
aankhon se haan keh diya

Ronit:- sabko pata chal jayega chaliye hum sab neeche baithte hain sab neeche utar gaye
stage me andhera kar diya gay aur kuch der baad ek flash light stage ke beech me giri
jahan main guitar liye stool par baitha hua tha jise dekhkar sabne hooting start kar di
maine guitar par ek dhun bajani suru kar di gaana khatam hote hi pura lawn taliyon ki gad
gadahat se gunj utha jab main neeche utra toh media walon ne meri kafi saari clicks si
kuch ladkiyon ne mere saathg selfies bhi li

Nana ji:- kya baat hai putar mujhe nahi pata tha ki mera pota itna acha guitar bajata hai

Anjali:- nanu abhi aapne dekha hi kya hai dheere dheere pata chalega aapko aise hi haste
gaate hue hamari ye raat guzar gayi ek taraf jahan hum khushi mana rahe the wahi door
kahi kuch anokhi cheez ho rahi thi

Secrila jungle:

Madox:- ye kaun si jagah hai par black souls jo Madox ko gayab kar yaha laaye the unhone
kuch nahi bola aur gayab ho gaye

Madox:- arre ab ye kaha aa gaye

Awaaz:- unka yaha koi kaam nahi hai Madox ko apne peeche se awaaz aayi jab wo peeche
palta toh fir se wahi purana dard uski aankhon me dikhne laga
Madox:- mujhe laga iss baar bhi aap har baar ki tarah saamne nahi aayenge sirf aapki
awaaz sunayi degi mujhe

Black shadow:- ye dard mere bete ke chehre par acha nahi lagta

Madox:- beta kaun sa beta aapne mujhe beta maana hi kab maa ke bhai ke hote hue bhi
maine ek anath ki zindagi ji hai maa ko chhodiye aaj tak toh maine aapka apne bhai ka bhi
chehra nahi dekha aap mere saamne hokar bhi hamesha gayab hi rehte aaye ho main toh
aapke liye ek project ki tarah hun jise aap bas complete kar rahe hain

Black shadow:- aaj main tumhe tumhare har sawal ka jawab dunga tumhare har taklif ke
peeche ki wajah bhi bataunga tum mujhe ya kisi bhi black soul ko issliye nahi dekh sakte
kyu ki tum ek insaan ho insaano ko hame dekhne ki ijazat nahi hai

Madox:- par main insaan kaise? main toh aapka beta hun naa fir

Black shadow:- haan par tumhari aatma insaano ki hai

Madox:- par kaise?

Black shadow:- tumhare bhai ke janm ke waqt maine tumhari maa ko beshosh kar
Monslickel le gaya tha Monslickel hum devils ka ghar hai tumhare bhai ka janm waha hua
hai issliye uski aatma kaali hai wo puri tarah se devil hai par tumhare janm daivya mouhurt
ke samay hua tha jis waqt har devil kamzor hota hai issliye main tumhari maa ko tumhare
janm ke waqt Monslickel nahi le jaa paya aur tumhara janm yahi dharti par hua issliye
tumhara dimag ek devil ki tarah hai par tumhara sharir aur tumhari aatma abhi bhi ek
insaan ki hai issliye maine tumhare paida hote hi tumhe tumhari maa se alag kar diya aur
tumhari jagah ek mare hue bache ko rakh diya jab tumhari maa jaagi toh usse laga ki uska
bacha mara hua paida hua hai

Madox:- agar main insaan hi hua toh bhi mujhe maa se alag karne ki kya zaroorat thi maa
bhi toh insaan hai naa

Black shadow:- haan hai par tum aadhe insaan ho burai karna tumhare khoon me hai
tumne apne zindagi ka pehla murder 6 saal ki umar me kiya tha agar tum apni maa ke
paas rehte toh tumhari harkaton ko wo bardasht nahi kar paati aur mar jati maine jo kiya
wo tum dono ki bhalai ke liye kiya

Madox:- toh ab
Black shadow:- ab waqt aa gaya hai ki tum hamari hi tarah pure devil me badal jao kya
tum taiyaar ho

Madox:- tayar maine toh bachpan se hi iss din ka sapna dekha hai

Black shadow:- isme tumhari jaan bhi jaa sakti hai devil banane ke process me tumhe itna
dard ho sakta hai jo shayad tum bardasht na kar pao

Madox:- mujhe har dard manzoor hai aapke jaisa banne ke liye marna bhi Black shadow
ne apna haath upar kiya zor ki bijli kadki aur Madox ke saamne uske pitah ki hi tarah teen
aur devils khade the

Black shadow:- shuru kare teeno ne haan me sar hila diya Black shadow ne apna haath
aage kiya sabke beech zameen par ek bohat bada pyala aa gaya charon devil uss pyaale
ke paas gaye aur apne apne haath pe ek cut laga diya cut lagte hi charon ke haathon se
khoon nikalkar uss pyaale me jama hone laga Madox ko charon ke haath toh dikhe nahipar
haathon ki jagah se jo khoon nikal kar uss pyaale me jaa raha thawo dikh raha tha kuch hi
der me wo pyaala pura khoon se bhar gaya khoon ka rang kaala tha

Black shadow:- tumhe iss khoon ko peena padega Madox pura peena padega Madox apne
baap ki baat sunkar ek pal ke liye shocked ho gaya par wo aage badha aur uss pyaale ko
utha liya

Black shadow:- ek baat yaad rakhna isse tumhe pura peena hai isse peete waqt tumhe
apne gale me bohat jalan mehsoos hogi tumhare aankhon se bhi khoon aane lagega
tumhari atdiyan morod khaane lagengi tumhare sharir ka har ang kat jane jitna dard
karega par tumhe rukna nahi hai isse pura khatam karna hai Madox ne bina kuch jawab
diye ek lambi saans li aur uss pyaale ko mouh se laga liya aur waisa hi hua jaisa Black
shadow ne kaha tha Madox ko aisa lag raha tha jaise koi uske gale ko andar se dheere
dheere kaat raha hai koi uske sharir me hazaaro suiyan chubho raha hai par wo ruka nahi
peeta chala gaya

Madox:- aahh pyala khatam karte hi Madox zameen par gir gaya aur cheekhne laga uski
aankon se laal khoon nikal raha tha jo ab badal kar kaala ho chuka tha uske sharir par
kaale dhuen se bane kapde aa gaye the kuch der yunhi tadapne ke baad dheere dheere
Madox normal hone laga aur jab uska dard gayab hua toh usne saamne dekha wo chonk
gaya kyu ki ab usse charon devils dikhne lage the teen chehron ko dekhkar toh wo normal
hi tha par chouthe chehre ko dekhkar jo ki uske dad ki thi wo thoda shocked ho gaya tha

Madox:- kya aap hi mere


Black shadow:- haan beta main hi tumhara dad hun Madox utha aur apne dad ke gale lag
gaya

Black shadow:- tum mujhe dekhkar chonke the naa?

Madox:- aapse milta julta chehra maine dekha hai

Black shadow:- muskurate hue jise tumne dekha hai wo main hi hun

Madox:- what aap aap toh

Black shadow:- haan beta main devil's ki duniya me mujhe Valefor kehte hain aur dharti
par Balbeer Singh Baggaa

Principal:- u dont have to worry about a thing Mr Riyansh Ahuja St Joseph is the best
school of Mumbai

Riyansh Ahuja:- I know that sir infact I am very proud that my sister's have got the chance
to study here it's just that first time meri sisters ghar se itni door wo bhi Mumbai jaise
sheher me rehne aayi hain main aur mera bhai Canada me rehte hain toh you know jo bhi
maine pucha hai its just a brothers anxiety nothing else

Principal:- I understand beta but u can be sure that ur sisters are in good hands atleast
when they are in school school ke bahar aap toh jante hi hain aaj kal ke youngster how
they behave and deal with situations so I cannot say anything about that

Riyansh:- sir hamari sisters yaha school me jitni disciplined rehti hain bahar bhi utni hi
rehti hain

Principal:- u dont have to worry for a thing than

Riyansh:- sir humne suna hai ki all India topper bhi issi school me padhta hai

Principal:- yes Vikram Jairaj Singh thats the name of the best student of our country we
are proud to have a student of his caliber in our school ye bolte waqt Princi bohat khush
lag rahe the

Riyansh:- can we meet him hum bhi itne bright student se ek baar milna chahte hain

Principal:- yaya why not bas 10 minutes me recess ho jayega uss time aap Vikram se mil
lijiyega

Riyansh:- ok thanks sir After 10 min:


Principal:- inhe Vikram Jairaj Singh se mila dena Princi ne peon ko bulwakar kaha

Peon:- jee sir aayiye Riyansh aur Devansh ne Princi se thanks kaha aur peon ke peeche
peeche chal diye

Raaste me:

Devansh:- Vaani ne thek hi kaha tha bhai ye Princi toh kafi impreesed hai uss Vikram se

Riyansh:- hmm chal ek baar dekh lete hain aakhir hai kya chiz hai ye Vikram

Peon:- Vikram beta ye tumse milna chahte hain main Ronit aur Anjali canteen me just
aaye hi the itne me peon uncle hamare saamne aa gaye maine peon uncle ke peeche
dekha jahan do smart se bande khade the unhe dekhte hi mere chehre par smile aa gayi
peon uncle unhe mere saamne khada kar chale gaye

Ek:- hi my name is

Main:- Riyansh Ahuja aur aap hain Devansh Ahuja inke chacha ke ladke Canada me
management ki padhai kar rahe hain right Riyansh ke khud ko introduce karne se pehle hi
maine usse uske aur uske bhai ka intro de diya dono aankhen faade meri taraf dekh rahe
the dusri taraf mere dono buddies normal the ab unhe meri zyada tar baaton par jhatka
nahi lagta tha aadat si ho gayi thi

Ronit:- Ahujas Avantika ke brothers Riyansh aur Devansh ab bhi shock me the Ronit ki
baat sun dono ne bas mundi haan me hila di

Ronit:- Avantika ke bhai hone ke bawajud aap isse milne aaye hain iska matlab aap isse
dhamki dene aaye hain haina

Main:- kya baat hai Ronit tu toh samjhdaar ho gaya bhai ab tak Riyansh aur Devansh shock
se bahar aa chuke the

Riyansh:- jitna suna tha tum usse bhi zyada chaalaak nikle aur tumhare dost ki baat se
pata chalta hai ki tum khudko koi top samjhte ho par iss baar galat panga le liya tumne

Devansh:- arre bhaiye ye toh dar gaya kuch bol bhi nahi raha Riyansh ki baat khatam hone
ke baad bhi jab main chup hi khada raha toh Devansh ne kaha Devansh ki darne wali baat
sunkar Anjali aur Ronit hans diye

Main:- dekh bhai jitna bolna hai ek baar me hi bol le tum dono jaise jha*****on ke liye
main apne anmol dialogues waste nahi kar sakta waise bhi tumhari behan ke upar main
apne dialouges ka kafi stock waste kar chuka hun tum dono ek kaam karo puri planning
wanning karke direct humla hi karo abhi main aur kuch kehta itne me recess over ki bell
baj gaye

Ronit:- lai inke chakkar me saala hum kuch khaa bhi nahi paye niklo be yaha se dobara jab
humse bhiddna ho apni shakal tabhi dikhana

Riyansh:- bohat shouk hai maar peet ka kyu chalo tum sab ka saara shouk ek baar me pura
kar denge abhi ke liye jaate hain ye bolkar Riyansh ne apna haath aage kar diya maine
muskurate hue usse hand shake kar liya par saala yaha bhi hoshiyari dikhane se banda
baaz nahi aaya usne mere haath ko apne haath se kasna shuru kar diya uske chehre par
muskurahat thi par jaise hi mere chehre par muskurahat aayi uski gaayab ho gayi smile ki
jagah uske chehre par dard dikhne lagi aur finally aahhh Riyansh ke mouh se dard bhari
aawaaz nikal gayi

Devansh:- kya hua bhaiya eeee chhod mere bhai ka haath ummm jaise hi Devansh aage
badha meri side se Ronit aage badha aur agle hi pal Devansh ke gardan me Ronit ka haath
tha wo bhi neeche baith gaya

Main:- maine kaha tha puri tayari se aana chal ab nikal maine Riyansh ka aur Ronit ne
Devansh ka gala chhod diya ek apne haath ko jhatakte aur dusra gardan ko masalte hue
nikal gaye hum bhi class ki taraf nikal gaye

Wahi dusri taraf

Madox:- hmm toh iske paas maya drishti bhi hai

Balbeer:- mujhe bhi aisa hi lagta hai iss waqt dono baap bete Balbeer ke farm house me
baithe apni aantrakit drishti se Vikram ko dekh rahe the inke saamne wahi scene chal raha
tha jisme Vikram Ahuja brothers se baat kar raha tha Madox ko devil banane ke baad
Balbeer usse apni biwi yaani Madox ke maa ke paas le gaya tha (Balbeer ko biwi ka zyada
role nahi hai issliye uska naam nahi likhunga) Balbeer ne ek jhooti kahani apni biwi ko
batayi ki Madox ke paida hone se pehle ek Guru ji ne Balbeer ko bataya tha ki unke putra
ki jaan ko 21 varsh ki umr tak khatra rahega agar wo usse bachana chahte hain toh unhe
apne bache ko khudse 21 varshon tak door rakhna hoga aur ye baat kisi ko bhi pata nahi
chalni chahiye unki patni ko bhi nahi Balbeer ke biwi bohat bholi thi uske upar puja paath
me bohat vishwas rakhti thi unhone apne pati ki baat pe turant yakin kar liya apni pehli
santan ko pehli baar apne saamne dekh kar wo bohat emotional ho gayi kafi der tak inka
emotional drama chala fir Balbeer aur Madox kuch kaam ka bolkar farm house me aa gaye
Madox:- aur kuch pata hai aapko iske bare me

Balbeer:- Glazer Riddik Balbeer ke naam pukarte hi Glazer aur Riddik turant prakat hue

Balbeer:- Vikram ke bare me kuch aur pata chala dono ne apne apne haath aage kar diye
dono ke haathon se kaali roshniyan nikli aur saamne hawa me ek picture chalne lagi is
picture me Vikram ne ab tak jo bhi kiya tha jitni bhi ladaiya ki thi wo sab dikhne laga
(sivaaye book aur Dhawali jheel wale scene ke)

Madox:- adbhudh taakat dimag sab kuch hai iske paas

Balbeer:- woh toh sab theek hai par ek insaan ke paas itni taakat aur itna sakht surakhsha
kawach in sab ka shroth kya hai ek baar ye pata chal jaye toh saari pareshaniyan jad se
khatam ho jayengi

Madox:- dad bhale hi insaano me daivik ya asuri taakat nahi hoti par unka dimag kisi bhi
angel ya devil se zyada tez chalta hai hume iske shroth ka pata lagane ki zaroorat hi nahi
hai

Balbeer:- matlab

Madox:- hame bas isse maarna hai aur iske taakat ka jo bhi shroth hoga wo khudba khud
saamne aa jayega

Balbeer:- wahi toh samasya hai iska surakhsha kavach abhed hai

Madox:- kyu ki uska housla abhedh hai kamse kam ab tak ek baar uska gurror uska housla
toot jaye uska surakhsha kawach bhi kamzor pad jayega tab hum usse maarenge

Balbeer:- ye sab itma aasan nahi hai beta hum devils khulkar iss duniya ke saamne nahi
aa sakte aur bina apne asli roop me aaye hamari taakat adhuri hoti hai aise me hum usse
nahi hara sakte

Madox:- aap nahi aa sakte toh kya hua main toh aa sakta hun bhooliye mat main aadhe
devil hone ke saath saath aadha insaan bhi hun mujhpe aapke niyam laagu nahi hote

Balbeer:- par tumhara bhi uske saamne yun achanak jana thek nahi

Madox:- shatranj ki baazi sidhi nahi kheli jati dad hai toh wo ek insaan hi aur har insaan ki
tarah uski bhi kamzori hai uski family aur iske wo do dost hum unhe todenge toh wo bhi
apne aap toot jayega par sabse pehle main ek baar usse milna chahta hun

Balbeer:- uske school chale jao


Madox:- usme kaisa maza aur waha jaakar kya kahunga usse main aise nahi mil sakta usse
ek idea hai suniye

Wahi dusri taraf:

Vaani:- toh kaisa raha? mil liye usse shaam ka waqt hai Riyansh aur Devansh apne room
me baithe kisi topic par baat kar rahe the itne me Vaani aa gayi

Devansh:- haan mil liye aur jitna tune bataya tha usse zyada ghamandi hai saala

Vaani:- wahi toh todna hai bhaiya

Riyansh:- wo toh tod hi denge aur wo bhi aaj hi

Vaani:- aaj hi sach

Riyansh:- aur nahi toh kya matter hai hi kitna bada jo hume rukna pade ya intezar karna
pade aaj hi saale ka game over kar dete hain

Vaani:- jo bhi karna soch samjh kar karna bhaiya bande me dimag bohat hai

Riyansh:- par akad toh dimag se bhi zyada hai aur yahi akad aaj usse marwaayega Riyansh
ne apna phone nikala aur ek call lagaya

Main Ronit aur Anjali baith kar group study kar rahe the itne me mera phone baja ye ek
unknown number tha

Main:- hello

Awaaz:- pehli mulakat me tu ne hamare bare me bata diya tha ab aawaz sunkar andaza
laga ki kaun bol raha hai

Main:- dekh bhai Riyansh Ahuja agar phir se koi sada sa dialouge chipkaane ke liye tune
call kiya hai toh yaar abhi mera mood nahi hai idhar mere mouh se Riyansh naam sunkar
Anjali aur Ronit bhi sidhe baith gaye the maine phone speaker pe rakh diya

Riyansh:- waah kya baat hai pehchaan liya aur fikr mat kar koi dialouge bolne ke liye nahi
teri school ki baat ka jawab dene ke liye hi call kiya hai toh aaj shaam kahi milen

Main:- address bata de bhai pohonch jaaeyenge

Riyansh:- arre waah ye hui na baat tere school ke peeche hi ek football ground hai waha
6 baje aaja aur haan agar nahi bhi aaya naa toh bhi main bura nahi maanunga
Main:- chal thek hai waise bhi kafi dino se football nahi kheli aaj khel lenge maine call kaat
di

Ronit:- ye saale Ahuja's sudharte hi nahi

Main:- iss baar Ahuja nahi hai Arora hai abbe ye saale sab ek hi thaali ke chatte batte hain
aaj in do bhaiyon ka bhi full & final kar dunga aur sun aaj tu kuch nahi karega jo karna hai
wo main aur Anjali kare ge

Anjali:- haan maza aayega jabse ye taakat mili haikahi na kahi isse aazmaane ka mann
karta hi rehta hai

Main:- thek hai tum log unhe handle karna main toh bas football khelunga Riyansh phone
rakhne ke baad:

Riyansh:- dekha bola tha naa ghamand akal ko khatam kar deti hai maan gaya saala aane
ke liye aaj saale ke haath pair tod denge

Devansh:- par bhai hume bhi tayar rehna padega kahi saale ne fielding set kar ke rakhi
hogi toh

Vaani:- nahi karega usse pane aap par kuch zyada hi bharosa hai apne aap ko one man
army samjhta hai

Devansh:- aur uske wo dost

Vaani:- arre bhai usse toh mere dost ne hi akela peet diya tha jo bhi hai wo Vikram hi hai
Vikramm tum log abhi bhi uske bare me baat kar rahe ho Vaani Riyansh aur Devansh se
saamne dekha jahan Avantika aur Shanaya khade the teeno unhe dekhkar hadbada gaye

Riyansh:- arre nahi gudiya wo hum

Avantika:- maine kal aap logon ko mana kiya thafir bhi aap log main dadu ko sab bata rahi
hun wahi aap logon se baat kare ge Dada ji ka naam sunkar Riyansh aur Devansh dar gaye

Vaani:- arre babes tu bhi naa bina puri baat sune kuch bhi bolne lagti hai ye dekh aaj
Vikram ki photo paper me chappi hai main wahi bhaiya ko dikha rahi thi Avantika ne
newspaper dekha jisme Vikram ke ghar me kal raat hui party ki photos chapi thi

Riyansh:- haan gudiya hum issi ke bare me baat kar rahe the itne me tu aa gayi acha chal
mujhe kuch kaam hai main aata hun Debu tu saath chal
Devansh:- jee bhaiya Riyansh aur Devansh nikal gaye aur teeno behane apne baaton me
mast ho gaye

Back to hero:

Main:- lijiye sir tumne pukara aur hum chale aaye

Ronit:- jaan hatheli par le aaye re

Anjali:- tumne pukara aur hum chale aaye

Ronit:- bade khadus ho yaar itna acha taal diya kuch taali wali toh bajao

Riyansh:- bajayenge beta zaroor bajyenge par taali nahi tumhe waise bade begairat ho
yaar tum Vikram maar se bachne ke liye ladki saath laaye ho tumse aisi ummid na thi

Main:- abbe main pet se hun kya jo tu mujhse ummid lagaaye baitha hai aur saalon tum
jaise ga****u characters ki wajah se ek scene jo paanch min me pura ho sakta tha
tumhare in sade hue dialogues ki wajah se usse likhne ke liye Vj ko 30 min lag jaate hain

Ronit:- tu kaun se scene likh raha hai bhai

Vj:- likh nahi raha hun main toh khud scene me hun khair tu wo sab chhod jo karne aaye
hain wo karte hain aur nikalte hain maine aaj evening snacks bhi nahi khaaye

Riyansh:- abbe tum log pagal ho gaye ho kya ya itne logon ko dekhkar phat gayi hai issliye
ulta sidha bol rahe ho waise zyada bande toh nahi le aaya main Riyansh ke saath iss waqt
kareeb 50 bande the wahi paas me hi ek pole tha jiske paas ek football pada tha jise
shayad kuch der pehle yaha bacche khel rahe the jinko inhone darakar bhaga diya tha
main chalte hue uss pole ki taraf gaya aur uss football ko utha liya

Main:- Ronit Anjali what are u guys waiting for? ya tumne irada badal diya

Devansh:- abbe tu bol kya aahhh par sir ji aage kuch bol nahi paye Ronit sir ne unhe utha
kar neeche patak diya aur jab tak koi sambhalta Ronit aur Anjali ne do bando ki hockey
chhenkar ghumana shuru kar diya dono ki tezi kabile taarif thi 20 second me 20 bande
zameen par pade karaah rahe the par ab baaki ke 30 bande sambhal chuke the sabhi ek
saath Ronit aur Anjali ki taraf badhe Ronit ne aage badhte hue ek slide maari aur kuch
bando ke beech me se aage nikal gaya par jaate jaate Ronit ne ek ek bande ke pair ko
pakad kar utha diya dono apne side ke bando se takrakar gir gaye dusri taraf Anjali ne
summer sault maarte hue do bando ke mouh par laath maar di dono udte hue peeche se
aa rahe bando se takra gaye par Anjali itne me nahi ruki ek bande ne Anjali ke upar apna
haath ghumaya Anjali ne uska haath pakad kar ghuma diya kattt ki awaaz ke saath uski
haddi toot gayi uski dard naak aawaz har taraf gunj gayi par Anjali ne bina iss baat pe
dhayan diye uska dusra haath pakda aur uske sahare usse gol ghuma diya uski laath 34
bando ke mouh par padi wo itni zor se ghuma tha ki uske laath ka impact bohat zyada tha
padne walon ke daant shahid ho gaye dusri taraf Ronit ne Devansh ko pakad liya ek mukka
Devansh ke pair par pada jaise hi wo jhuka dusra mukka uske peeth par wo zameen pe gir
gaya yaha main aaram se football khel raha tha itne me mujhe saamne se apni taraf do
bande aate dikhe

Main:- lai do ko sambhaal nahi paa rahe hain aur mujhse bhidne aa rahe hain maine
football ko ek kick maari football sidhe jaakar ek bande ke naak me lag kar mere paas
wapas aa gayi uska naak fat gaya wo zameen pe leta tadapne laga maine ek aur kick maari
football tezi se jaakar dusre bande ke main point me lagi wo khade khade dance karne
laga

Main:- dukan ke chakkar me ghar ke ande phod diye abbe jaldi karo be raat bhar maarte
rahoge kya ab tak lagbhag saare bande zameen par gir chuke the kuch 5 ya 6 bache the
jinki puri tarike se phat chuki thi jinme se ek hamare Riyansh bhai sahab bhi the chataakkk
Anjali ka ek zor ka chaata Riyansh ke gaal par pada main chalte hue unki taraf hi aa raha
tha Riyansh sidhe mere pair ke paas hi gira

Main:- uth jao seth ji already gire hue ho aur kitna giroge saale tumhare khaandaan ki
problem kya hai bina peete kisi ko chain nahi aata kya aur bhi koi bacha hai toh bol diyo
usse bhi uska account bhi settle kar denge Anjali ke ek thappad se hi Riyansh ke mouh ka
geography bigad gaya tha Vikrammm maine apni right me dekha jahan Avantika Shanaya
aur Vaani khadi thi Avantika ki aankhen bhigi hui thi

Ronit:- aayiye madam aap hi ki kami thi bhai sahab taakat dikhane aaye the ab aap apni
buddhi dikhaiye

Main:- Ronit maine apna sar naa me hila diya Ronit chup ho gaya Avantika ne mere aage
haath jod diye

Vaani:- Avnitu ye kya

Avantika:- chuppp ekdum chupp ye sab teri wajah se hua hai maine mana kiya tha naa fir
bhi tune bhaiya ko bhadkaya galti sirf hamari aur hamari family ki hai aur tu chiii Vikram
mere bhaiya ki taraf se main maafi maangti hun
Main:- thek hai le jao apne bhaiyon ko Avantika aur Shanaya ne Riyansh aur Devansh ko
sahara dekar uthaya aur car me baitha kar ghar chali gayin

Anjali:- ab ye kya tha zarror kuch naya plan kar rahi hai ye ladki

Main:- nahi yaar aaj pehli baar uske aansu genuine the sacche the khair chalo kafi time ho
gaya ghar chalte hain hum ghar ki taraf nikal gaye

Wahi heaven me:

St Cecilia:- nahi ye nahi hona chahiye tha iski saza Valefor ko main dekar hi rahungi

St Sebastian:- tum kuch bhi nahi karogi agar tumne Valefor ko kuch bhi kiyatoh hamara
aur devils ka sandhi toot jayega uske baad Asmodeus jo karegawo tum ache se janti ho

St Cecilia:- toh kya hum haath par haath dharen baithe rahen aapko pata hai naa wo abhi
tayar nahi hai kahi usse kuch nahi nahi hame kuch karna hi padega

St Sebastian:- iss maamle me kuch karne ke liye hume saamne aana hoga aur wo ho nahi
sakta ye yudh Vikram ko apne dimag ke bal par jeetni hogi jitni brabal uski icha shakti hogi
utni hi prabal uske mantra kaam kare ge maine pehle hi kaha tha ki ye kahani khud hi
khud ko likh rahi hai Vikram ki niyati ab khud uske haath me hai yeh keh kar St Sebastian
chup toh ho gaye par unke chehre par tension saaf dekhi jaa sakti thi jo hone wala tha
uska abhas unhe ho chuka tha

Menakshi Mansion:

Dad:- its ok beta par tumhare dad nahi aaye

Unknown:- actually unhe urgently Delhi jana pada aur wo sidhe sunday ko hi aayenge
issliye unhone mujhe kaha ki main khud aakar apko aur aapki family ko invite karun

Dad:- ok thats really sweet of him lo mera beta bhi aa gaya beta ek second idhar aana

Main:- yes dad

Dad:- beta inse milo

Unknown:- sir main apna intro khud deta hun

Unknown:- hi

Main:- hi I am Vikram
Unknown:- national topper ko kaun nahi janta kafi suna hai tumhare bare me waise main
yaha tumhe aur tumhari puri family ko apni party me invite karne aaya hun

Main:- ok par apna naam toh batao

Unknown:- oh sorry my name iss Madox

Person 1:- St Sebastian mujhe toh apni aankhon par vishwas hi nahi ho raha wo banda
apne ghutno ke bal jhuk gaya aur uske saath saath jitne bhi log the wo bhi

St Sebastian:- uth jaiye ****** wo banda khada ho gaya par uska sar ab bhi jhuka hua tha

Person 1:- kya main apni khushkismati ki wajah jaan sakta hun jo aaj aapne mujhe darshan
diye

St Sebastian:- main ******** se bhet karna chahta hun uss bande ne apne ek aadmi se

****** ko turant unke saamne upasthi t hone ke liye kaha wo aadmi gaya aur jab wo
wapas aaya toh uske saath wo the jinse St Sebastian bhet karna chahte the jinhe bulaya
gaya tha wo bhi apne saamne St Sebastian ko dekhkar bohat zyada aascharya chakit the

St Sebastian:- kya main ekaant me aapse baat kar sakta hun

Person 1:- humse nivedan karke hume paap ka bhaagi mat banaiye wo banda sabko lekar
bahar chala gaya

St Sebastian:- mujhe aapki madad ki awashyakta hai St ne sidhe sapaat tarike se apni baat
saamne wale se keh di par iss baat ko sunkar saamne wala aur surprised ho gaya aur hota
bhi kyu naa God's messenger ko uski madad ki zaroorat hai ye koi choti baat toh thi nahi
par ye baat bhi utni hi sach thi ki St mazak toh karte nahi the

Person 2:- ye mere liye soubhagya ki baat hogi ki main aapke kisi kaam aa sakun

St Sebastian:- par usse pehle aapko ye waada karna hoga ki jo bhi sahayata main aapse
maangunga aap uss vishay me bina koi prashn puche meri madad kare gi

Person 2:- God's messenger se kaise koi sawal pucha jaa sakta hai fir bhi aap jaisa chahte
hain waisa hi hoga fir St Sebastian unhe apne aane ka reason batate hain aur ye bhi ki
unhe saamne wale se kaisi madad chahiye jise sunne ke baad saamne khade shaksh ki
aankhen badi ho jati hain
Person 2:- aapne mujhe iss kaam ke layak samjha isse badi baat mere liye kuch bhi nahi
ho sakti aapne jaisa kaha waisa ho jayega St Sebastian saamne wale ko aashirwaad dekar
gayab ho jaate hain

Wahi dusri taraf:

Riyansh:- please gudiya maaf kar de naa kab tak yunhi naraz rahegi hum dono kal se tujhse
maafi maang rahe hain

Devansh:- aur galti toh hamari hai naa tu khud ko kyu punish kar rahi hai kal se tu ne ek
niwala nahi khaaya jo saza deni hai hume de yun bhooke rehkar khudko toh mat tadpa

Avantika:- kyu ki mujhe pata hai ki mere bhuke rehne se badi saza aap dono ke liye nahi
ho sakti aur aapko meri fikr hi kyu hai kya hoga kamzor pad jaungi yaa zyada se zyada mar

Riyansh:- gudiiyaaa kyu dil dukhane wali baat karti hai bas ek baar maaf kar de naa

Avantika:- kis baat ke liye bhaiya aap maafi issliye nahi maang rahe kyu ki aapne galat kiya
tha aap issliye maafi maang rahe hain kyu ki maine aapko galat karte hue dekh liya tha
kya soch kar gaye the Vikram se ladhne jayenge aur usse maar kar aa jayenge maine aapse
kaha tha naa ki usse na takrane me hi aapki bhalai hai aur ek baat bataiye kis baat ka badla
lene gaye the aap usse Vaani kya kaha ta han tu ne in dono ko ki usne humpe haath uthaya
haan uthaya toh kya galat kiya usne hamare saath wahi kiya jo hum deserve karte hain
aur kya bolti rehti hai tu bohat ghamand hai usse apne aap pe babes usse ghamand nahi
attitude kehte hai ghamand wo hai jo hum dikha rahe the jo kal hamare dono bhaiya
dikhane gaye the

Riyansh:- gudiya kal jab tune uske saamne hamare liye haath jode hum tab hi samjh gaye
the ki humse bohat badi galti ho gayi hai par hum maafi maang rahe hai naa please maaf
karde aainda se aisa nahi hoga

Devansh:- please na gudiya

Avantika:- theek hai par ab main kabhi bhi ye jhagda wagda nahi dekhna chahti khaas kar
usse

Dono:- done

Vaani:- mujhe bhi maaf kar de babes please

Avantika:- kyu tu koi alag hai kya jab inhe kar diya toh tujhe bhi kar diya naa Vaani ne
Avantika ko hug kar liya
Vaani:- chalo sab normal ho gaya kyu na issi khushi me ek party ho jaye

Shanaya:- bas ho gayi ye shuru

Vaani:- arre wo baat nahi hai yaar dekh bhaiya log kal wapas Canada jaa rahe hain toh
maine socha ki kyu naa usse pehle ek party ho jaye

Avantika:- bhai aaap log jaa rahe ho aur wo bhi kal kyu?

Devansh:- gudiya hum toh aaj hi jane wale the par tujhe udas chhodkar kaise jaa sakte the
issliye aaj ruk gaye

Riyansh:- haan gudiya wo kya hai naa ki hamare final exams paas aa rahe hain toh zyada
din tak leave nahi le sakte

Avantika:- studies ki baat haiissliye chhod rahi hun par next time itni jaldi nahi jane dungi

Riyansh:- wo toh possible nahi hai gudiya

Avantika:- kyu

Riyansh:- wo issliye kyu ki iske baad hum wapas jayenge hi nahi ye hamare last semesters
hai naa bas exams tak ki baat hai fir toh hum yahi rehkar dad ka business sambhalenge

Avantika:- sach wow tab toh maza aayega

Vaani:- uss maze ko ussi waqt enjoy kar lenge filhal abhi ki baat kare

Avantika:- why not toh batao fir kaha chalna hai?

Shanaya:- bohat din hue clubbing nahi ki wahi chalte hain

Vaani:- no babes plan toh already fix ho chuka hai

Shanaya:- kaisa plan? aur kab fix hua? Vaani ne ek card uthakar sabke saamne rakh diya

Devansh:- ye toh koi invite lagta hai kiske yaha ka hai

Vaani:- dad ke frnd hai unke yaha se aaya hai

Shanaya:- lai fir toh pakka koi old boring business party hogi

Vaani:- nahi yaar theme ka naam toh dekh Devil's fire aur ye dekh kya likha hai Mumbai
ke best Dj ko bulaya hai full on clubbing wala scene hoga

Shanaya:- wow yaar ye toh hamari ab tak ki sabse achi party hogi
Vaani:- aur pata hai ye party dad ke jo frnd hai naa unka beta host kar raha hai ye party
ussi ne throw ki hai

Avantika:- invite me host ka naam toh hoga hi?

Vaani:- haina Madox

Back to hero:

Ronit:- kafi time se dekh raha hun tu kis soch me gum hai?

Anjali:- haan yaar agar tera mood nahi hai toh party me jana cancel karte hain waise bhi
hum kaun sa usse personally jante hain

Main:- nahi yaar usne khud ghar aakar invite kiya tha nahi jayenge toh usse bura lagega
aur main toh bas iss saal jo hamare lagatar jhagde ho rahe hain ussi ke bare me soch raha
hun (jhoot)

Ronit:- haan yaar sahi bola ye saale Ahuja's jab se aaye hain tabhi se hamare saath itne
saare kaand hona shuru hue hain warna hum kitne mast the apne life me

Anjali:- haan par sirf main aur Vj tu ye shaant wali catagory me nahi aaata hai tera toh har
24 din me koi na koi lafda hote hi rehta hai ab hamari Anjali madam ne aag ko hawa de di
thi aag toh bhadakna hi tha dono ki behes shuru ho gayi aur main wapas kal Madox se hui
mulakat ke bare me sochne lag gaya

Yesterday's Conversation flashback:

Main:- sorry yaar par ye naam bolte waqt kuch awkward sa nahi lagta Madox Singh Bagga
maine apni life me first time aisa koi naam ka mixture suna hai

Madox:- abhi tumhari umar hi kya hui hai Vikram ye duniya jitni ajeeb dikhti hai usse kai
guna zyada ajeeb hai Madox ne mere aankhon me jhankte hue ye baat kahi

Main:- haan aur iska ek aur example aapki life story bhi hai I mean aapki life toh mujhe
kisi film ki script ki tarah lagti hai Madox ne mujhe apne bare me wahi bataya jo Balbeer
ne uski biwi ko bataya tha

Madox:- wo story nahi haqiqat hai brother khair wo sab chhodo tum kal apne family aur
frnds ke saath party me aa rahe ho
Dad:- beta kal shaam ko meri ek meeting hai office se aate aate hi mujhe kafi late ho
jayega aur Minu mere bina jayegi nahi toh hum toh nahi aa payenge par haan Vicky apne
frndz ke saath zaroor aayega

Madox:- koi baat nahi uncle toh Vicky kal tumhe apne frndz ke saath pakka aana hai ok

Main:- ab dad ne haan keh di hai toh main kaise mana kar sakta hun main aur mere frndz
aa jayenge hum dono ne haath milaya Madox chala gaya aur chhod gaya mujhe tension
me mere tension me hone ki do wajah thi

1st:- Madox ne apne life ke bare me jo bataya tha wo mujhe sarasar ek jhoot laga asliyat
jaanne ke liye maine jab uski aankhon me jhaanka toh mujhe apna pehla jhatka laga kyu
ki main uske dimag aur soch ko padh nahi paa raha tha aur jab main ye kar raha tha toh
Madox ne mujhe ek evil smile di jaise ki wo janta ho ki main kya karne ki koshish kar raha
hun

2nd:- usse haath milate hi mujhe uske andar se ek negetive energy feel hui jo bohat zyada
powerfull thi aur main uske source ka bhi pata nahi laga paa raha tha aur ye koi choti baat
toh thi nahi main insab ke bare me sochte hue apne room ki taraf chal pada

Flashback ends:

Ronit:- lai ye toh fir apni soch me kho gaya wapas aaja bhai hum pohonch gaye Ronit ke
hilane se main hosh me aaya

Main:- haan kya hua?

Ronit:- abbe tera dimag khisak gaya hai kya aaj ek baar me tujhe kuch sunayi bhi nahi de
raha maine kaha hum pohonch gaye

Main:- haan toh neeche utar naa ki tere naachne ke liye yahi dj bulwa dun hum teeno car
se utar kar party hall ki taraf chal diye

Anjali:- woww yaar scene toh ekdum sahi hai party hall me pahunchte hi waha ka mahoul
dekhkar Anjali ke mouh se ye apne aap nikal gaya waise mahoul tha bhi kafi happening
achi khaasi crowd thi aur sabke sab young the Mumbai ka best dj apna talent dikha raha
tha saare bande uski beats pe groove kar rahe the charon taraf drinks serve ho rahe the
red aur blue colour ki lights se pura hall jagmaga raha tha ki achanak hum teeno shocked
ho gaye hum teeno abhi aage badhe hi the ki ek flash light mujhpar aakar padi abhi
humme se koi kuch samjhta usse pehle ek aawaz aayi
Awaaz:- boys & girlzzz its 9:45 pm & Vj just stepped in the room sab hamari taraf dekhkar
hooting karne lage humne awaaz ki taraf dekha toh hume dj ke sath hi Madox khada hua
dikha jo hamari taraf wave karta hua aa raha tha

Ronit:- kya baat hai bande ne tere liye khaas anouncement karwayi abhi main kuch kheta
usse pehle hi Madox hamare paas aa chuka tha

Anjali:- zyada meetha acha nahi hota

Madox:- hey guyzz thanks for coming yaar

Main:- thanks for inviting uss well inse milo they are my best frndz he iss Ronit & she is
Anjali

Madox:- tumhare best frndz matlab mere best frndz par sirf tum Ronit inse main dosti
nahi kar sakta Madox ne Anjali ki taraf point karte hue kaha

Main:- kyu bhai inse kya khata ho gayi Anjali bhi apne chehre par sawal liye Madox ki taraf
dekh rahi thi

Madox:- itni khoobsurat ladki se bhi bhala koi sirf dosti karta hai jin nazro ko inse ishq na
hua wo nazare kis kaam ki Anjali Madox ki baaton se blush karne lagi par do log the jinki
jal rahi thi

Main:- ishq nazro ki jaagir nahi nazre sirf bhadakna janti hain

Madox:- waah kya baat hai yaar ab ye mere liye ek surprise hai India ka sabse talented
banda sirf dimag ki hi nahi dil ki baatein bhi samjhta hai ye maine kabhi nahi socha tha
maine kuch nahi kaha bas muskura diya

Madox:- agar tum dono ki ijazat ho toh kya main inke saath ek dance kar sakta hun

Main:- hamari ijazat kyu jinke saath tumhe dance karna hai unse puch lo

Madox:- maam main I have the pleasure to dance with u ye bolkar Madox ne apna haath
Anjali ki taraf badha diya Anjali ne bhi muskurate hue Madox ka haath thaam liya aur dono
humse kuch door hi floor par chale gaye

Madox:- dj change the mood Madox ke bolte hi dj ne ek romantic number play kar diya
Madox aur Anjali ek dusre ko pakad dance karne lage

Ronit:- saala isne hume bulaya tha ki sirf Anjali ko pehli baar mila hai aur chipak chipak ke
naach raha hai
Main:- aisa hi hota hai dost sahi waqt par sahi baat nahi boli jaye toh aksar baatein bigad
jati hai

Ronit:- abbe kaun si sahi baat main toh maine Ronit ko ghur ke dekha wo sakpaka kar
chup ho gaya wahi humse kuch hi door koi aur bhi tha jise Madox aur Anjali ka dance
karna acha nahi lag raha tha dekh toh kamini Madox se kitna chipak chipak kar dance kar
rahi hai tujhe kyu jalan ho rahi hai Vaani ji haan doston ye jalne wali aur koi nahi Vaani thi
jo iss waqt Avantika Shanaya Riyansh aur Devansh ke saath hamari left side me humse
kuch hi door khadi thi

Vaani:- jale my foot main toh ye keh rahi hun ki banda kitna hot hai aur bandi bandi na
hoke bandariya dikh rahi hai

Riyansh:- kaha se yaar ladki bhi toh kitni hot hai

Avantika:- ye galat baat hai Vaani har kisi ki apni perference hoti hai ab Madox ko tu nahi
wo pasand aayi isme uski kya galti

Main:- not bad Avantika ne palat kar dekha toh main usse cross karke aage badh raha tha
hua yun ki meri nazar ghumte ghumte apni left side par gayi jahan Avantika and family
khadi thi aur iss waqt un sab ki nazar Anjali par thi maine apne tez sunane ki shakti jaagrit
kar li aur unki baat sunte hue unki taraf badh gaya Avantika ki baat sun mere mouh se not
bad nikal gaya Avantika kuch der tak meri taraf dekhti rahi fir apne family ke saath baaton
me masghul ho gayi

Madox:- so u guyz are enjoying naa hume abhi couch par baithe ek min bhi nahi hua tha
ki Madox aur Anjali hamare paas aa gaye

Main:- ya bro we are good

Madox:- par aapke dost ko dekh kar toh aisa nahi lagta kya hua bhai kuch problem ho gayi
kya Madox ne Ronit ko pucha par mujhe pata tha ki sir ji bhare baithe hain kahi fat na
jayen issliye maine turant jawab diya

Main:- nahi yaar ye aisa hi hai wo kya hai naa hum teeno normally aise parties me aate
nahi hain ek dusre ke saath hi hamara zyada waqt beetta hai issliye ye thoda
uncomfortable hai aur kuch nahi

Madox:- par jab main Anjali se shayadi karke usse le jaunga tab ye kaise karega Madox ki
baat sunkar Anjali aur Ronit shocked ho gaye
Main:- iski tension nahi hai Anjali jise bhi shayadi karegi usse iss baat ka khayal rakhna
hoga ki wo hum teeno ke beech na aaye warna uska patta cut kyu Anju

Anjali:- bilkul

Madox:- relax guys tum sab toh serious ho gaye main toh mazak kar raha tha

Ronit:- pata hai yaar Anjali se shayadi karne ki baat mazaak me hi ki jaa sakti hai seriously
iss baat ko bolne ka hak humne kisi ko nahi diya

Madox:- manana padega kya dosti hai ek kaam karte hain ander lounge me baithte hain

Main:- arre yaha kya proplem hai yahi baithte hai naa

Madox:- arre ye toh common spot hai aap khaas hai please yaar chalo naa I insist hum
teeno bhi Madox ke peeche peeche andar lounge area me chal diye jahan pahunchkar
hum ek baar aur shocked ho gaye kyu ki hamare saamne Avantika & family baithi thi

Madox:- inse milo frndz ye bhi mere khaas mehmaano me se ek hain Madox ne humara
ek dusre se intro karaya hum bhi uske saamne koi scene nahi karna chahte the issliye
normally ek dusre se mile kuch der jo hum waha baithe the uss douran Madox ne Anjali
ke saath bohat flirt kiya Anjali bhi isse ek casual baat samjh kar uska saath deti rahi iss
beech maine note kiya ki Avantika ki nazar reh reh kar baar baar meri taraf jaa rahi thi

Avantika:- (mann main) ye jab bhi mere saamne rehta hai (main) mujhe itni bechaini kyu
hoti hai kya soch raha hoga mere bare me par main kya karun main apne aap ko isse
dekhne se rok hi nahi paa rahi hun aisa lag raha hai jaise hum dono ke beech koi bridge si
hai jo mujhe isse jod rahi hai kya karunnn ghar hi chali jati hun

Avantika:- Madox thanks for inviting uss par ab hame chalna chahiye kafi late ho gaya hai
kal school ke liye early morning uthna bhi hai Vaani toh waise bhi Madox aur Anjali ko
saath dekh jali baithi thi usne bhi Avantika ka saath diya

Vaani:- haan yaar hum already late hain hume ab chalna chahiye

Madox:- baat study ki hai issliye rokunga nahi par next time bhi agar maine bulaya toh
aana padega

Vaani:- we would love too

Ronit:- hame bhi chalna chahiye humara bhi toh kal school hai
Madox:- thek hai tum jao Anjali ko main baad me chhod dunga Madox ki baat sunkar Ronit
ka dimag ghum gaya par isse pehle ki hamare sir Madox pe bhadakte

Main:- haha nice joke

Madox:- I am serious yaar kyu kya hua mujhpe bharosa nahi hai kya

Main:- bilkul bharosa hai brother sage na sahi ho toh tum bhi Anjali ke bhai jaise hi naa
ab ek bhai ke hote behan ko koi problem ho sakti hai kya a meri baat sunkar Ronit zor zor
se hasne lag gaya wahi Madox ka mouh uss bache jaisa ho gaya jiske haathon se uski fav
chocalate kisine cheen li ho hasi sirf Ronit ko hi nahi aayi thi meri baat pe Anjali aur uske
saath saath puri Ahuja family hasne lag gayi thi

Avantika:- (mann main) baaton me isse koi nahi jeet sakta Madox ke chehre par ek pal ke
liye be inteha ghussa aa gaya tha par usne turant apne aap ko normal kar liya par wo ek
pal ka ghussa mujhe jhatka dene ke liye kafi tha

Madox:- nice joke sir ji bhai bankar hi sahi kamse kam inka saath toh milega hum sab haste
hue Madox se haath milakar nikalne lage

Madox:- jitna hasna hai hans le isse main tum sab se cheen kar hi rahunga jab Ronit Madox
se haath milane ke liye aage badha toh Madox ne Ronit ki kaan me ye kaha ghussa toh
Ronit ko bohat aaya par wo koi scene create nahi karna chahta tha issliye chup chap aage
nikal gaya

Hamare jane ke baad:

Balbeer:- mil liye usse ab kya socha hai party hall ke khali hote hi Balbeer Madox ke
saamne prakat hua

Madox:- aapne kya socha ki maine ye party sirf usse milne ke liye di thi mujhe toh bas
kuch sure karna tha jo main kar chuka ab basthi da sa intezaraur fir Vikram ke dil ko mai
aisa dard dunga ki wo khud bhi jeena nahi chaahega

Balbeer:- jo bhi karna soch samjh kar kana wo bohat shaatir hai agar usse tumhare plan
ki bhanak bhi lag gayi toh bohat bura hoga aur tumhe toh pata hi hai hum me se koi bhi
iss kaam me tumhari madad nahi kar sakta

Madox:- relax dad jab ab tak nahi padi toh aage kaise padegi waise usne koshish toh bohat
ki mera dimag padhne ki par afsos padh nahi paya usse ye nahi pata ki agar mann ki baat
jaanne ki kala hoti hai toh mann ki baaton ko chupane ki bhi kala hoti hai aur jab tak wo
hamari agli chaal ko samjhega hum usse chot pahuncha chuke honge Madox aur Balbeer
zor zor se hasne lage

Next day in school:

Main:- bas karo tum dono kal raat se dekh raha hun kutte billi ki tarah lad rahe ho dono
aur tu Anjali jab bhi main isse naraz hota tha toh tu hi mujhe samjhati thi naa ki ye hai toh
kam akal kuch bhi bolta hai toh aaj khud iss baat ko kaise bhul gayi hum iss waqt apne
school ki parking me khade the kal raat Madox ke party se nikalne ke baad se hi Ronit aur
Anjali ke beech tu tu main main chalu ho chuki thi jo ab tak chal rahi hai

Anjali:- arre kal raat se ye mouh fulaye baitha hai kuch bhi bolo toh ulta jawab hi deta hai

Ronit:- haan sahi kaha main ulte jawab hi deta hun saare sahi jawab toh wo Madox deta
hai jaa ussi ke saath jaake kaun banega mera pati khel

Anjali:- dekha Vj ghuma fira ke fir wahi baat arre wo bas masti kar raha tha uss baat ko
itna seriously lene ka kya matlab

Ronit:- haan tabhi toh itna zyada daant dikha rahi thi tu uske jokes me oh God Madox u
are so funny hamari baaton pe toh tere aansu nikal jaate hain kyu? tu ek kaam kar ussi ke
saath raha kar hamare saath tera time waste ho jata hai

Anjali:- u know what? u r right tere saath hang out karne se acha uske saath hi ghumna
chahiye wo kamse kam teri tarah sadu toh nahi hai thanks for the advice bye main dono
ko samjhate reh gaya par dono alag alag nikal gaye claas me bhi aaj hum saath nahi baithe
the total teen rows thi hum teeno hi alag alag rows me baithe the khair jaise taise saare
classes khatam hue par ab ek nayi problem thi wo ye ki dono ab saath ghar bhi nahi jana
chahte the

Main:- Ronit yaar saath chalne me kya problem hai baat mat karna tum dono

Anjali:- nahi main iske saath nahi jaungi tum dono jao main auto le lungi

Main:- zyada hoshiyaari dikhayi na toh ek thappad maarunga tu mere saath chal rahi hai
samjhi

Ronit:- yaar tu nikal main aata hun

Main:- ab tu kaha chala be


Ronit:- aaj thoda football khelne ka mood hai tu nikal main baad me aata hun hamare
school me claases ke baad daily football practice hoti thi maine bhi socha ki kuch waqt
tak agar ye dono alag hi rahen toh thek rahega

Main:- chal fir main Anju ko lekar nikalta hun tu shaam ko sidhe ghar aa jaiyo

Ronit:- thek hai bye main aur Anjali ghar ki taraf nikal gaye aur Ronit football ground ki
taraf par mujhe ye nahi pata tha ki Ronit ko yun akela chhodna meri kitni badi bhool thi

Menakshi Mansion:

Mom:- Vicky

Main:- yes mom school se aane ke baad fresh hokar maine lunch kiya aur just Ronit ke
ghar jane ke liye apne room se nikalne hi wala tha ki mom ne mujhe awaaz di

Mom:- beta Kavita ka phone hai puch rahi hai Ronit abhi tak ghar kyu nahi aaya

Main:- mom wo football practice ke liye school me ruk gaya tha aata hi hoga maine jaisa
kaha mom ne waisa Kavita aunty se keh diya

Main:- (mann main) main bhi naa acha hua mom ne Ronit ke bare me puch liya main toh
bhul hi gaya tha ki wo toh ab bhi school me hoga par kuch jyada late nahi ho gaya saala
pakka kahi na kahi baithkar kuch thoos raha hoga saala bhukkad main wapas apne room
me jane ke liye muda hi tha ki mujhe ek tez jhatka laga maine turant apni aankhen band
kar li aur kuch dhundne laga par mujhe kuch bhi nahi dikha maine mobile nikala aur call
lagaya par no response mera dimag kharab hone hi laga tha ki mere andar se awaaz aayi

Book:- Vikram tumhari sabse badi kami tumhara utawala pan hai dhairya rakho bhale hi
paristithi kitni bhi viprit kyu na ho dhairya rakhne se hi tumhe uchit maarg milega maine
apne mann ko shant kiya aur sochne laga ki mujhe kya karna chahiye maine dobara
aankhen band ki aur iss baar kuch aur dekhne laga kuch 5 sec me hi meri aankhen khul
gayi mujhe ek andaza ho chuka tha ki mujhe pehle kaha jana hai maine apni aankhen fir
band ki aur jahan mujhe pahuncha tha uss jagah ko yaad kar gayab ho gaya un kaali
shaktiyon ke rakshako ko maarne ke baad jo mujhe magical powers mili thi uske baad ye
pehli baar tha jab main unme se ek ka istemal kar raha tha agle hi pal main uss jagah par
khada tha jahan pahunchne ki maine sochi thi main ab bhi invisible hi tha maine ape haath
faila diye mere dono haathon se invisible roshni nikli aur uss jagah ke charo taraf faile gayi
mujhe pichle 5 minute me yaha kya kya hua hai wo sab dikhne laga mujhe iss jagah par
ek suraksha kawach jiska asar ab dheere dheere gayab ho raha tha uska bhi aabhas ho
gaya issi surakhsha kawach ki wajah se main kuch bhi detect nahi kar paa raha tha maine
uss surakhsha kawach ko apni shakti se jod diya ye bhi ek spell tha jo mujhe kitab ne
sikhayi thi ab mujhe pata tha ki mujhe kaha jana hai main firse gayab ho gaya

Wahi dusri taraf:

bas kuch saanse bachi hai tere paas tere zindagi ke saare khaas logon ko yaad kar le khaas
kar ke Vikram ko arre kya hua tere toh aansu nikal aaye miss kar raha hai kya usse tension
mat le bohat jald usse bhi tere paas bhej dunga shaitan bhagwaan ke faisle nahi karte
Madoxx awaaz sun jaise hi Madox palta saamne mujhe dekh ek pal ke liye uska dimag
ghum gaya usse yakin nahi ho raha tha ki maine usse khoj nikala hai wahi meri nazar jaise
hi uske piche zameen par pade Ronit par padi toh mere aankhon se aansu nikal aaye Ronit
ka chehra dono taraf se fat chuka tha uske hoth se khoon behkar uske shirt par jam chuke
the Ronit ulta leta hua tha aur uske dono haath bhi ulte ghume hue the iska matlab uske
dono haathon ko tod diya gaya tha

Madox:- maan gaye Vikram sach me yaar tu kamal ki chiz hai itne safety measures lene
ke baad bhi tu mujh tak pahunch gaya akhir kaise? marne se pehle meri curiosity khatam
karte jaa yaar iss waqt hum Balbeer ke hi ek godown me the jo sheher se bahar thi

Main:- maine kahanaa bhagwaan ke faisle shaitan nahi karte Madoxx aur kaun jiyega kaun
marega ye sirf bhagwaan ke hi haathon me hai aur jahan tak sawal mere tujh tak
pahunchne ka hai toh yaad hai jab tu mujhse pehli baar mila tha toh tu ne kya kaha tha
national topper ko kaun nahi janta fir tu kaise ye bhool gaya ki mujhe bewakuf banana
tere bas ki baat nahi hai jab main tera dimag nahi padh paya toh main samjh chuka tha ki
tu koi choti moti cheez toh ho nahi sakta main ye bhi samjh gaya ki tu mujhe nuksaan
pahunchane ke liye hi aaya hai tera sach jaanne ke liye hi main teri party me aaya jab tu
Anjali ke saath dance kar raha tha toh main Ronit ke saath uss party hall ke chakkar laga
raha tha maine waha ke sabhi kono me chhupakar transmiter aur cameras laga diye the
aur hamare jane ke baad jab tera baap tere saamne prakat hua aur fir tum dono ke beech
jo bhi baat chit hui wo sb maine sun li thi jab maine Anjali ko teri behan bulaya jispe sab
hasne lage tab ek pal ke liye teri aankhen puri kaali ho gayi thi mujhe pata chal gaya ki tu
koi devil hi hai bas ek chuk ho gayi mujhse mujhe laga ki tu bas mujhe aank raha hai anylize
kar raha hai mere bare me meri taakat ke bare me jaankar tu mujhpe attack karega main
ye bhool gaya ki devils aur saamp me zyada fark nahi hota wo kisi ko bhi das sakte hain

Madox:- waah bhai maan gaye maine socha tha ki pehle main tere iss jigri ko maarunga
aur issi ghum me jab tu maansik tour par kamzor ho jayega tab main tujpe hamla karunga
par yaha aakar tune mere plan ko fail kar diya aur iski saza tujhe apni jaan dekar chukani
padegi Madox ne apne haath failaye dekhte hi dekhte uske sharir par kaale dhuen aakar
kapdo ka akar lene lage kuch hi palon me Madox mere saamne apne asli roop me tha

Madox:- tayar ho Vikram

Main:- hamesha

Madox:- wo toh tum hoge hi agar himmat hai toh apne charo taraf faile hue suraksha
kawach ko hata kar lado

Main:- muskurate hue fir mere saamne dimag lagaya tumne khair tumhari aakhri
khwahish samjhkar tumhari baat maan leta hun (Guru Vishakht ne mujhe mere charo
taraf faile surakhsha kawach ke bare me bata diya tha) maine apni aankhen band ki aur
akarmika mera suraksha kawach gayab ho gaya

Main:- Ronit mere bhai bus kuch der wait kar fir ghar chalte hain Ronit itne dard ke
baawajud mujhe aankh faade dekh raha tha agle hi pal Madox ke haathon se kaali rays
nikalkar meri taraf lapki maine bhi apna haath aage kar diya mere haathon se white rays
nikalkar black rays se takraaye dono hi rays nasht ho gaye Madox ne apni aankhen band
ki aur apni ungliyon ko ghumane laga dekhte hi dekhte Madox ke saamne ek paani ka
diwal ban gaya abhi main kuch samjhta usse pehle hi uss diwal se ek ke baad ek hathyar
tezi se nikalkar meri taraf aane lage maine bhi tezi se apna haath gol gol ghumana shuru
kar diya mere haathon se mere aage ek hawa ka bawandar banane laga Madox dwara
chhode gaye saare hathyar mere banaye gaye bawander ke andar chale gaye saare hathi
yaaro ko nasht karke maine bawandar ko bhi khatam kar diya par yahi mujhse galti ho
gayi Madox ne apne haath ko jodkar saamne ki taraf ek jhatka diya paani ka diwal ek
zordar blast ke saath fat gaya paani ne tez dhar nukile barf ka roop le liya aur meri taraf
aane lage maine apne dono haathon ko jod kar ek ko upar aur dusre ko neeche kar diya
mere aage ek rubber ki diwal ban gayi par diwal ke pure banne se pehle ek tez dhaar barf
aakar mere shoulder me ghus gayi

Main:- aahh

Ronit:- Vjjj meri cheekh ke saath saath Ronit ki bhi cheekh nikal gayi

Madox:- hahaha bas itna hi dum tha kya yaar dad toh faltu me tension le rahe the Madox
ne apna haath uthaya aur kuch mantra padhne laga uss gowdown ke andar hi kaale badal
banne lage
Main:- aahh un baadlon me se bijli nikal mere upar girne lagi maine apne upar ek suraksha
kawach bana liya tha par dard me hone ki wajah se suraksha kawach kamzor tha par fir
bhi ussi ki wajah se bijliyon ka asar mujhpar kam ho raha tha mere kapde fat gaye the
sharir se khoon nikalne laga tha mujhe apna aakhri waqt dikhne laga tha

Madox:- arre yaar tu toh bada hi kamzor nikla maza hi nahi aaya tujhse ladke khair maze
ke liye teri wo frnd toh hai hi ussi se kaam chala lunga main aahhh Madox aage kuch bol
nahi paya jin bijliyon se wo mujhpar waar kar raha tha unme se ek ussi ke upar aakar giri
wo door jaakar gira hua ye ki jaise ek aur bijli meri taraf badhi maine apna haath aage kar
uske asar ko ulta karne ka mantra padha iss dard bhari haalat me spell ko modna mere
liye bohat mushkil tha par Madox ke Anjali ke upar kiye comments se ek pal ke liye mera
dard gayab ho gaya aur itna kafi tha uske spell ko modne ke liye main apni puri taakat
sametkar khada ho gaya wahi Madox bhi ab tak khada ho chuka tha maine aankhen band
ki aur apne haath jode aur jab tak Madox kuch soch ya samjh paata maine mantra padh
liya tha mere seene wale hisse ke aage roshni chamakne lagi aur dekhte hi dekhte mere
charon taraf roshni se bani lambi lambi nukili suiyan nikalne lagi achanak hi uss godown
me tez hawa chalne lagi aur har cheez meri taraf kheenchane lagi Madox aur Ronit bhi
meri taraf kheench kar aane lage maine ek haath aage kar diya Ronit ke neeche ki zameen
ukhad gayi Ronit ka thoda sa sharir uss zameen ke andar chala gaya wo jagah fir se bhar
gayi ab Ronit safe tha par Madox lakh koshishon ke baad bhi meri taraf kheencha chala
aa raha tha Madox ko jab laga ki wo khud ko mere paas aane se nahi rok payega toh usne
ek nayi chaal chali Madox ne taali bajane ki andaz me apne dono haath jod diye aahhh
mere iss cheekh ke saath mera spell bhi bekar ho gaya hua ye ki Madox ke taali bajate hi
do adrishya forces ne mujhe dono taraf se takkar maari jise mujhe kafi dard hua yaha
mera concentration toota waha mera spell bekar hua Madox ne meri taraf ek tak dekhte
hue apne dono haathon ko malna shuru kiya jaise jaise uske haath garam hue mera jism
bhi garam hone laga kuch hi der me mere sharir ke kuch ang jal kar kaale padne lage itne
dard me bhi mujhpe behoshi chhane lagi thi par jaise hi meri aankh band hui mujhe Ronit
ki mom ka rota hua chehra dikhne laga agar main abhi mar jata toh Madox Ronit ko bhi
maar deta maine jhat se aankhen kholi aur ek jhatke me khada ho gaya Madox jo pura
dhayan lagakar mujhe jala raha tha mere achanak uthne se hadbada gaya jise uska
concentration aur spell dono toot gaye

Main:- bas bohat hua tu mujhe maarna chahta tha naa toh thek hai main marne ke liye
tayar hun par akele nahi tu bhi mere saath marega Ronit mere bhai maine tujhe apna saga
bhai hi maana hai par ek kasak hamesha rahi ki kaash hum dono ek hi maa ke kokh se
janme hote agar dobara hum dono ne janam liya naa toh hum dono ek hi maa ke kokh se
janam lenge Ronit chup chaap meri baaton ko sunta gaya maine Madox ki taraf dekha
sampurna vinaashate anuvedheya

Madox:- nahiii mere mantra bolte hi hum jahan moujud the uss puri jagah par kampan
shuru ho gayi

Main:- akarmika maine Ronit ki taraf haath aage kar mantra bol diya jo suraksha kawach
bachpan se aaj tak mere charo taraf rehti thi wo ab Ronit ke charo taraf fail gayi us kawach
ki wajah se dheere dheere uske ghaav bhi bharne lage aur uski tooti haddiyan bhi judne
lagi wahi mere aur Madox ke sharir kaampne lage hamare sharir me jitni bhi urja thi wo
nikal kar bahar aane lagi hum dono ki hi shaktiyon ne hum dono ke beech aakar ek gole
ka roop le liya Madox ne gayab hone ki koshish ki par kuch bhi nahi hua khud ko gayab na
hote dekh wo bahar ki taraf bhaagne ko hua par uske pair jam gaye wo hil bhi nahi paa
raha tha maine ek aakhri baar Ronit ki taraf dekha mere aankhon se aansu nikal aaye Ronit
ko kuch samjh toh nahi aa raha tha ki ho kya raha hai par meri aankhon me aansu dekh
wo samjh gaya ki kuch bohat bura hone wala hai aur boommm ek tez dhamaka hua aur
fir sab kuch shaant dhamake me godowm toh pura gayab hi ho gaya wahi Madox udta
hua najane kaha jaakar gira par girne ke baad uska sar ek taraf ludhak gaya wahi dusri
taraf main bhi piche ki taraf thodi door jaakar gira meri puri body jagah jagah se fat gayi
thi yaha tak ki mere baazu aur ghutne ki haddi bhi dikhne lagi thi mere pure sharir se
khoon nikal raha tha blast ki wajah se har taraf dhua dhua ho gaya tha dhua chhatte hi
meri nazar jo lagbhag band ho hi gayi thi Ronit par gayi usne bhi mujhe dekh liya tha jahan
ek taraf itne dard me bhi Ronit ko sahi salaamat dekh mere chehre par ek halki si
muskurahat thi wahi meri haalat dekhkar Ronit bardasht na kar paya aur behosh ho gaya
tabhi mere theek upar aasman me ek tez roshni chamki aur uss roshni ke beech ek world
door khul gaya us door ke andar se ek aur roshni nikli aur sidhe neeche mere upar padi
mera sharir hawa me uthne laga aur kuch hi pal me main uss door ke andar chala gaya
mere andar jaate hi wo door band ho gaya nahiii Kavita ki awaaz sunkar saare noukar
bhagte hue aate hain

Head servent:- maam maam jaldi se paani lekar aao dusra noukar bhaagte hue jata hai
aur kitchen se ek glass paani lekar aata hai Kavita jo cheekhne ke saath hi behosh ho gayi
thi head servant uske chehre par paani chhetata hai jise Kavita hadbadakar uth jati hai

Head sevent:- maam main Dr ko bulata hun


Kavita:- Ronitt mera bacha Kavita ko Dr sunte hi yaad aajata hai ki wo kyu behosh hui thi
wo turant apne mobile se ek number dial karti hai

Kavita:- suniye jee par Kavita aage nahi bol paati aur rone lagti hai

Harpreet:- kya hua Kavita tum ro kyu rahi ho apni patni ka yun achanak rona sun Harpreet
tension me aa jata hai Harpreet ke paas hi Akash aur Jairaj bhi baithe hue the teeno bhi
Harpreet ki baat sun shock ho jaate hain

Jairaj:- phone speaker me daal Harpreet phone speaker me rakh dete hain

Harpreet:- kya hua Kavita please rona band karo aur batao mujhe

Kavita:- wo wo Ronittt Kavita aage nahi bol paati aur firse rone lagti hai

Harpreet:- Ronit kya hua mere bache ko ek baar me bataogi tum akhri line bolte bolte
Harpreet ki awaaz kadak ho jati hai aakhir baat unke bete se related jo thi

Jairaj:- Harpreet araam se bhabhi kya hua Ronit ko

Kavita:- bhaiya****** hospital se phone aaya tha mera beta waha admit hai aur behosh
pada hai Kavita sissakte sisakte bata deti hai par ye sun teeno doston ko jhatka lagta hai
Harpreet ke aankhon se bhi aansu nikal jaate hain taklif toh Jairaj ko bhi bohat hui thi
aakhir Ronit bhi unke liye Vikram se kam nahi tha jab bhi Ronit ko kuch bhi chahiye hota
toh wo apne dad se pehle Jairaj ko hi bolta tha par Jairaj me sayam bohat zyada tha wo
aaram se bole

Jairaj:- bhabhi aap tension mat lijiye hum teeno yaha se hospital ke liye nikalte hain main
Minu ko call kar deta hun aap Minu aur Neha bhabhi ke saath aa jaiye aur please qakele
mat nikliyega Jairaj jante the ki iss waqt Kavita mansik tour par kafi kamzor hogi aise me
akele hospital jana uske liye thek nahi hoga phone rakhne ke baad

Jairaj:- yaar aise rone se kuch nahi hoga hume fouran hospital ke liye nikalna chahiye
teeno hospital ke liye nikal gaye raaste me Jairaj ne Minu ko call larke sab bata diya jise
sunkar Minu ke aankhon me bhi aansu aa gaye Jairaj ne Minu ko Kavita aur Neha ko lekar
hospital aane ko kaha

Minu:- Vickyyy Vickyyy Martha jaa kar dekho toh Vicky baba kya kar rahe hain Martha jab
upar gayi toh Vikram usse waha nahi mila

Martha:- maam Vicky baba toh nahi hai


Minu:- Vicky toh bina bataye kahi nahi jata kahi wo bhi Ronit ke saath nahi nahi usne toh
khud bataya tha ki Ronit school ground me hai Minu ne Neha ko call karke sab bata diya
aur turant Kavita ko lekar ghar aane ko kaha

Neha:- Anjali Anjali

Anjali:- kya hua mom par jaise hi Anjali apni mom ke saamne aayi apni mom ko rota dekh
bhaag kar unke gale lag gayi

Anjali:- kya hua mom aap ro kyu rahi hain

A/Mom:- beta Ronit hospital me admit hai

Anjali:- kya? Anjali ke aankhon ke aage andhera sa cha gaya wo ektak apni mom ko dekhne
lagi

A/Mom:- Anju Anju Anjali ki mom ne Anjali ko zor se jhinjhoda jise usse hosh aaya uske
aankhon se bhi barsaat hone lagi

Neha:- beta sambhal apne aap ko chalhame jaldi se jaldi hospital pahunchna hai itne me
bahar car ka horn bajne laga Anjali aur uski mom bhaagte hue bahar gaye ye Kavita thi
Neha ne unko himmat di aur teeno Minu ke ghar pohonch usse pick kar hospital ki taraf
nikal gaye

Anjali:- aunty Vj kaha hai hospital me hai kya?

Minu:- nahi beta par wo ghar par bhi nahi hai pata nahi kaha chala gaya?

Neha:- gaya hoga kahi? aa jayega

Minu:- hmm par andar hi andar Minu ke mann main bhi ek dar baith gaya tha In Hospital:

Jairaj:- excuse me which room iss in Ronit Singh

Reciptionist:- room 402 sir

Minu:- ji Jairaj Harpreet aur Akash awaaz sun palte unke saamne Minu Neha Kavita aur
Anjali khade the sab ek dusre se mil lift me ghus gaye ghar se abhi tak Kavita lagatar roye
hi jaa rhai thi aansu toh sabhi ke aankh me thepar sabhi ne apne aap ko control karke
rakha hua tha kuch hi der mw sabhi room 402 ke saamne the sabhi ek saath andar room
me chale gaye apne bete ko behosh dekh Kavita ke saath saath Harpreet ke bhi aansu
nikal gaye Minu Kavita ko aur Aakash Harpreet ko sambhalne me lag gaye Jairaj Ronit ke
paas gaye aur usse dhayan se dekhne lage Ronit ke sharir par ya sir par kahi koi chot nahi
dikh raha tha

Nurse:- arre itne log ek saath andar nahi rah sakte chaliye sab bahar chaliye

Jairaj:- bilkul reh sakte hain aap jaiye aur Dr ko bula kar laaiye turant itni sad situation me
bhi sabhi Jairaj ki baat sunkar shocked ho gaye kyu ki Jairaj kabhi bhi kisise rudely baat
nahi karte the khaas kar kisi lady se nurse bhi Jairaj ki sakht awaaz sun dar kar Dr ko bulane
chali gayi aur kuch hi der me Dr aa gaya

Dr:- arre itne saare log aap sab

Jairaj:- chuppp Dr Jairaj ko pehchaanta tha uski baaki ki baat halak ke andar hi reh gayi

Dr:- sorry sir mujhe nahi pata tha ki ye aapki family hai

Jairaj:- ye toh pata hi hoga naa ki mere bete ko kya hua hai Jairaj ke mouh se ye sun ki
patient unka beta hai Dr ki hawa aur tight ho gayi

Dr:- yes sir isse tcs kehte hain temporary coma stage coma word sun sabhi ko ek zor ka
jhatka laga Kavita fir se zor zor se rone lagi

Jairaj:- par kaise iske body par toh ek bhi nishan nahi hai

Dr:- sir inki ye condition shock ki wajah se hui hai zaroor inhone apne saamne kuch bohat
bura hote hue dekha hai aur maam aap dariye mat ye coma temperory hai jaise hi inke
dimag se wo ghatna hatni shuru hogi inhe hosh aa jayega

Jairaj:- isme kitna waqt lagega

Dr:- I din se maximum ek hafta par darne ki koi baat nahi hai par Dr ki baat se ek insaan
tha jo ab bohat zyada dar gaya tha

Minu:- Vickyyy Minu ke mouh se apne aap hi nikal gaya Minu ke mouh se Vicky sun sabka
dhayan iss baat pe gaya ki main waha moujud nahi hun

Jairaj:- Vicky kya aur wo hain kahan?

Minu:- pata nahi wo ghar par bhi nahi tha aisa pehli baar hua hai ki wo bin bataye kahi
gaya ho aur upar se wo yaha bhi nahi hai aur na hi Anjali ke saath tha ab Jairaj ka maatha
thanka apne bete ko un achanak bina kisiko bataye gaayab hona ussi waqt Ronit ka shock
ki wajah se gaayab hona ye sab koi coincidence toh ho nahi sakta
Jairaj:- fikr mat karo kuch nahi hoga hamare bete ko Anjali betaek baar apne sare frns ko
call karke puchokahi Vicky unke saath toh nahi hai

Anjali:- jee uncle Anjali janti thi ki Vikram kisi aur ke saath kabhi hangout nahi karta par
fir bhi ek ummid ke chalte usne apne sare claassmates ko call lagaya par hua waisa hi jaisa
ki Anjali ko ummid tha Vikram kisi ke saath bhi nahi tha

Anjali:- uncle Vj kisi ke bhi saath nahi hai ye sun Minu ka rona tez ho gaya

Kavita:- ye ho kya raha hai hamare saath pichle kuch waqt se koi na koi be wajah humse
ulajh raha hai aur aaj mera ek beta behosh hai aur dusre ka pata nahi kahi ye sab bhi
unlogon ne hi toh

Jairaj:- humne ek sher ko paida kiya hai aur sher ko gidado se koi dar nahi hota Akashchal
Harpreet tu yahi reh

Harpreet:- main kyu ruku Ronit bas behosh hai aaj nahi toh kal usse hoh aa hi jayega par
mera dusra beta laapata hai jab tak uska pata nahi chal jatamain chup chaap nahi baith
sakta

Jairaj:- chal fir Minuhimmat rakho hamare bete ko kuch nahi hoga Jairaj Harpreet aur
Akash bahar aa gaye Jairaj ne apna mobile nikala aur kuch calls kiye teeno hospital se
bahar aakar apni car se kahi nikal gaye

Wahi dusri taraf:

ek ladka ek aalishan bed par soya hua tha uske sharir par ek bhi kapda nahi tha par ye kya
uss ladke ki puri sharir par suiyan chubhi hui thi us ladke ke sirahane ek ladki baithi hui thi

Ladki:- saare jahan ki maasumiyat chalakti hai iske chehre pe aisa kya khaas hai isme ki St
Sebastian khaas iske liye mujhse milne aaye the ye ladka khaas nahi bohat khaas hai
awaaz sunkar wo ladki chonk gayi aur jab palti toh uske saame st Sebastian the par aaj wo
akele nahi theunke saath st Cecilia aur st Alfrick bhi the par asli jhatka uss ladki ko tab laga
jab jab teeno Saints uss ladke ke aage jhuk gaye wo ladki toh aankh faade iss scene ko
dekh rahi thi

St Cecilia:- aise kya dekh rahi ho ***** aur itni achambhit kyu ho?

Ladki:- God's messengers ek mamuli se ladke ke aage jhuk rahe hain wo bhi ek Prithvi
waasi ke aage jo sabhi planets se bohat peeche hai ye aascharya ki baat nahi toh aur kya
hai?
St Sebastian:- tum jiske baaju me baithi howo koi maamuli ladka nahi hai lord of angel hai
swayam od ka anshpure bramhaand ka maarg darshak iss khulase se toh uss ladki ko 440
volt ka jhatka laga

Ladki:- kya ye wahi hai jiske bare me bhavishyaVaani hui thi

St Alfrick:- haan putriye wahi hai

Ladki:- agar ye sach hai toh fir ye uss yudh me kaise itna chotil ho gaya ek devil ko toh lord
of angel ke saamne khade hote hi jal jana chahiye tha par usne toh isse barabar ki takkar
di ya fir ye kaha jaye ki usne isse hara diya tha

St Sebastian:- wo issliye ki abhi iski shakti soyi hui hai aur uski shakti ka maatra ek bhaag
kitna shaktishaali haiye toh tum ache se janti ho

Ladki:- jee bilkul par iska matlab wo baat bhi

St Sebastian:- haan putri ye sach hai us ladki ki aankhon se aansu nikal aaye

St Cecilia:- nahi putri tum itni kamzor nahi ho sakti aaj tumhari wajah se hi lord of angel
ki shakti ka wo bhaag Asmodeus chhupa hua hai warna bramhaand ka ek chouthai bhaag
ab tak uske adhin ho chuka hota

Ladki:- mujhe shama kare St Cecilia ye sach achanak aaj mere aage fir se khul gaya issliye
thoda jazbaati ho gayi thi

St Sebastian:- koi baat nahi putri hum toh bas inhe ek baar saamne se dekhne aaye the
tum nahi janti ki tum kitni soubhagya shaali ho jo tumhe inke paas rehne ka mouka mil
raha hai aur aage chalkar bhi ye tumhare iss grah me aakar isse paawan kare ge

Ladki:- isse badi baat mere aur mere logon ke liye nahi ho sakti main abhi jaakar inke bare
me pitaji ko batati hun

St Sebastian:- nahi putri aisa kabhi mat karna ye mat bhoolo ki iska saamna kisse hone
wala hai yaha ki khabar janene ke liye usse yaha aane ki zaroorat nahi hai uske anginat
aankh aur kaan hain putri issliye ye baat tumhe apne aap tak rakhni hogi

Ladki:- jo aagya teeno God of messengers ne uss ladki ko aashirwaad diya aur gayab ho
gaye

Wahi dusri taraf:


Vaani:- arre yaartum meena kumari bani kyu baithi ho dinner ke baad saari behane bahar
pool ke paas baithi hui thi

Avantika:- bhaiya ki yaad aa rahi hai yaar

Shanaya:- haan yaaris baar toh hum dono ke saath theek se time bhi speend nahi kar paye

Vaani:- arre chill yaar kuch hi mahino ki toh baat hai fir toh hamare dono bhai hamesha
ke liye yahi aa jayenge naa dhadaaamm abhi koi aur kuch kehta usse pehle hi ghar ka
entry gate ek zordar awaaz ke saath toot gaya aur ek 407 truck tezi se andar aaya uss truck
ke peeche line se gaadiyan lawn me aane lagi abhi koi kuch samjhta usse pehle ghar ke
upar do helicopters madrane lage aisa lag raha tha jaise koi film ki shooting chal rahi ho
itni aawaz sun kar ghar ke andar se Satish aur Anukriti bahar aaye jitni bhi gaadiyan aayi
thi sabme se ek ke baad ek hathyar band log utarne lage waise toh Satish khud underworld
don tha par itne saare hathyarband logon ko dekhkar uski puri fat gayi thi abhi wo kuch
samjh ya bol paata isse pehle ek aur bmw porch me enter hui aur 3 aadmi bahar nikle jise
dekhkar Satish ke saath saath Avantika aur baaki sisters bhi shocked ho gaye

Satish:- ye sab kya hai Jairaj chataakk chataakkk ek ke baad ek Jordon ke chaar thappad
Satish ke gaal par pade Satish ki haalat patli ho gayi

Jairaj:- Jairaj nahi sir bol sir kya bol

Satish:- darte hue sirrr

Jairaj:- haan tere jaise ch***yon ki problem kya hai pata haitum sab saale apne aap ko
bohat badi top samjhte ho beta tum sab ki aukat tabhi tak hai jab tak hum jaiso ka dimag
nahi ghum jata aur teri badkismati ki aaj mera ghum gaya hai

Vaani:- ye kya badtamizi hai

Akash:- shhh ek aur awaaz aur tumhare pure khaandan ko saaf kar denge samjh aayi baat
nahi aayi toh ek aur baar mouh khol ke dikha

Anukriti:- bhai sahabaakhir hamara kusoor kya hai? Jairaj ko Anukriti ki awaaz me wahi
sachhai dikhi jo Vikram ko dikhi thi

Jairaj:- itne ghatiya aadmi ko itni sharif biwi kaha se mil gayi behan ji aapke pujyaniya
husband underworld don hain najane kitne gharon ko ujada hai inhone toh kusoor ki baat
toh aap kare hi mat

Satish:- nahi Anukritiye jhoot bol raha hai main chatakkk


Jairaj:- saale teri daleele akele me sunaiyoabhi bas ye bata ki mera beta kaha hai? Vikram
ki baat sunkar Avantika ko jhatka laga

Satish:- mujhe kya maalum

Jairaj:- saale tum laaton ke bhoothbaaton se nahi maanoge right abhi Jairaj kuch karte
usse pehle Avantika unke saamne aa gayi

Avantika:- uncle Mama ji sach keh rahe hain inhe Vikram ke bare me sach me nahi maalom
ye toh bahar gaye hue the shaam ko hi loute hain aur uncleaap Vikram ko toh jante hi hai
nuska kuch bigadna hamare bas ki baat nahi hai uski taaqat aur uska dimaag hum sab se
kahi aage hai Jairaj ko Avantika ki baat sahi lagi

Jairaj:- ye sach hi ho toh acha hai Satish warna tujhe aisi mout dunga ki agli baar paida
hone se bhi darega ye bol Jairaj aur uske dono dost palat gaye par hamare Satish bhai
sahab aur kutte me zyada fark toh tha nahibina bhonke inka khana jo hazam nahi hota

Satish:- tu janta nahi tune kiske ghar me ghuske usse dhamkaya hai tujhe ye bohat
mehenga padega

Jairaj:- lagta hai tune meri baat dhayan se suni nahi maine kaha tha naa ki tum jaiso ki
aukat sirf tabhi tak hai jab tak hum jaise log apni aukat me nahi aajaate chaltujhe dusre
tarike se samjhata hun apne top most connections me se kisiko bhi phone laga aur bata
ki yaha kya ho raha hai? chal bhai jaldi karmere paas time nahi hai Satish ne apna mobile
nikala aur CM ko phone lagaya Jairaj ne Satish ke haath se uska mobile le liya

CM:- haan Satish bhai aaj hume kaise yaad kar liya?

Jairaj:- Jairaj bol raha hun

CM:- arre Jairaj sir aap aur ye toh Satish arora ka number hai naa aap iss number se kaise?

Jairaj:- ji CM sahaab wo kya hai naa ki Satish sahab mujhe maarna chahte hain ab aap hi
bataiyemain kya karu?

Satish:- whattt uska dimag kharab ho gaya hai kya Jairaj ji aap usse uda dijiyeyaha main
sab sambhal lunga ya fir ek kaam karte hain main Commissioner se uske encounter orders
nikal deta hun Commissioner ki baat sunkar Satish ka mouh khul gaya

Jairaj:- chaliye main dekhta hun kya karna hai Jairaj ne call kaat diya agar mujhe pata chala
ki mera beta tere paas haiya tune usse koi nuksaan pahunchaya haitoh c m ne jo bhi kaha
haiusse sach hone me waqt nahi lagega Jairaj ne Satish ko uska mobile pakdaya aur nikal
gaya uske peeche peeche uske saare aadmi bhi chale gaye

Back to hero:

sampurna vinaashate anuvedheya booomm ye dhamaka mere dimag me hua tha meri
aankh ek jhatke me khul gayi main lambi lambi saanse le raha tha mujhe kuch waqt laga
ye samjhne ke liye ki main zinda hun par jaise hi maine saamne dekha

Main:- ohh teriii ye sab kya hai? saala main kahi operation theatre me toh nahi hun nahi
nahi operation theatre aisa thodi na hota hai fir ye sab aur ye jagah saala ye ye kya raha
hai hua ye ki jaise hi maine saamne dekha toh paya ki main pura nanga hun bas mere
waist ke neeche ka area ek kapde se dhaka hua tha par mere shock hone ka reason ye tha
ki mere pure sharir par nukili suiyan ghusi hui thi par mujhe dard bilkul bhi nahi ho raha
tha maine apna chehra apni daayi aur ghumaya toh main fir se chonk gaya mere paas hi
ek bohat hi khoobsurat ladki baithi hui thi par mere chonkne ki wajah do thi ek toh uska
chehra aur dusra uske pehne hue kapde the uska chehra kisi se kafi milta tha aur jis tarah
ke kapde usne pehne the aise kapde toh pouranik kathaon me rajkumariyan pehna karti
thi par ek baat aur thi jaise main usse dekhkar surprised tha waise hi uske chehre par bhi
surprising expressions the

Main:- hello maam aap kaun hai aur main kaha hun meri awaaz sunkar wo ladki hosh me
aayi

Ladki:- nishchint rahiye aap jahan bhi hain bilkul surakshit hain aahh main uthne ko hua
toh mere sharir me ek dard ki lahar doud gayi

Ladki:- aap uthi ye mat abhi aapka sharir kamzor hai aap jitni taakat lagayenge aapko utna
kasht hoga

Main:- dard toh hoga hi naaye suiyan jo ghusa rakhi hain aapne mere body me

Ladki:- in suiyon ne hi aapke sharir me uthne wale dard ko rok kar rakha hua hai agar inhe
nikal diya toh aap apne sharir ki peeda seh nahi payenge

Main:- ye kaisa treatment hai khair jo bhi hoaap ek kaam kare mujhe hrigrok kaadha pila
dijiyeusse main turant theek ho jaunga agar main theek hota toh main khud bana leta aap
ek kaam kijiyemain aapko sabhi cheezo ki list de deta hun aap le aayiye arre yaar ye main
kya bol raha hun wo sab saamaan market me thodi na milta hai
Ladki:- jis mantra ka aapne prayog kiya thauski wajah se abhi aapke sharir par koi bhi
kaadha kaam nahi karega

Main:- oh par iss ilaaj se main kab tak theek ho jaunga

Ladki:- kam se kam ek maheena

Main:- kya aa itne din fir main apne ghar me kya kahunga waise ghar se yaad aaya main
kitne waqt se yaha hun

Ladki:- 24 ghanton se

Main:- arre mere gharwalon ne toh ab tak pure Mumbai ko sir par utha liya hoga abhi
hum Mumbai se kitni door hain

Ladki:- muskurate hue bohat door

Main:- nahi nahi aap mujhe mere ghar chhod dijiye baaki ki treatment main wahi le lunga

Ladki:- iss ilaaj ko beech me roka nahi jata anyatha ye nishprabhaav ho jayega

Main:- arre yaar kaha fas gaya koi toh tarika hoga

Ladki:- ek tarika hai jise aap turant thek ho jayenge

Main:- toh aapne mera wahi ilaaj kyu nahi kiya in sab suiyon ko hataiye aur turant theek
karne wala ilaaj kijiye

Ladki:- uske liye bhi in suiyon ki hi zaroorat padegi bas fark ye hoga ki abhi ye suiyan aapke
sharir ke upar chubhi hui haius ilaj ke liye aapko ye suiyan apne sharir ke andar ghusani
hogi puri andar isse ye suiyan aapke shsrir ki saari koshikaaon ko kuch hi der me thek kar
dengi par iss kriya me aapko asahaniya dard hoga shayad aap bardassht na kar payen aap
par behoshi bhi chaa sakti hai par agar aap behosh hue toh suiyan bahar aa jayengi aur
aap theek nahi ho payenge

Main:- ye dard uss dard ke aage kuch nahi hoga jo iss waqt mere parentsmere dost
mehsoos kar rahe honge main tayar hun aap shuru kare

Ladki:- jaisi aapki marzi uss ladki ne apne haath aage kiye mere theek upar mere hi height
ke size ki steel ki parat ban gayi uss ladki ne apne haath neeche kar diye aahhh ummm uss
ladki ke haath neeche karte hi wo steel ki parat tezi se neeche aayi aur mere upar gir gayi
jitni bhi suiyan thi sab ek jhatke me mere andar chali gayi meri aankhen ek dum badi ho
gayi dard itna zyada tha ki mujhe kya meri aatma tak dard se hil gayi mere aankhon se
dhar dhar aansun nikalne lage dard itna zyada tha ki meri aankhen band hone lagi main
behosh hone laga par tabhi achanak mere aankhon ke aage mom ka rota hua chehra aa
gaya maine ek jhatke me apni aankhen khol di aur jabda bheeche dard ko sehen karne ki
koshish karne laga kuch der tak main aise hi dard sehta bed par pada raha par dheere
dheere mera dard kam hone laga kuch 10 Minute ke baad main normal ho gaya main ek
jhatke me uth kar baith gaya ab mujhe bilkul bhi dard nahi ho raha tha maine saamne
dekha toh wo ladki khadi muskura rahi thi main toh ek pal ke liye uski khoobsurti me kho
hi gaya

Ladki:- awishwaniya bohat kam log hain jo iss dard ko seh paate hain main uski awaaz
sunkar hosh me aaya

Main:- thanks meri itni help karne ke liye

Ladki:- ye toh mera farz tha

Main:- kamaal hai ek jaisi surat par sirat kitni alag

Ladki:- ek jaisi surat kiski baat kar rahe hain

Main:- hai ek khoobsurat bala Avantika agar aap dono ko koi saath dekh le toh usse lagega
aap dono sagi behane ho waise ek baat puchun

Ladki:- aapko mujhse kuch bhi puchne ke liye ijazat ki zaroorat nahi hai

Main:- aap kaun hai aur hum abhi kaha hai

Ladki:- mera naam Alesendra hai aur iss waqt aap dharti par nahi Isla grah me hain

Satish:- hello dad mujhe lagta hai Madox ne apna kaam kar diya Vikram kal se laapata hai

Gulshan:- kya khabar sunayi hai bete waahmaza aa gaya main Madox ko khud phone
karke thanks kehta hun

Satish:- thek hai dad main rakhta hun chatakk Satish call disconnect kar palta hi tha ki uske
gaalo par paanch ungliyon ke nishaan chap gaye aur jaise hi Satish ne saamne wale ka
chehra dekha uski aankhen hairat se faile gayi

Satish:- ye kya harkat hai Anukriti tumhara dimag toh thek hai tum apne pati par kaise
haath utha sakti ho

Anukriti:- pati par nahi maine ek khooni par haath uthaya hai chiii mujhe toh tum jaise
insaan ko pati bolne me bhi sharm aati hai Satish aur Anukriti ka bedroom hall ke side me
hi tha Anukriti ne ye baat itni zor se boli ki hall me baithe Vaani aur baaki sisters ne sun li
sabhi doudte hue kamre me aa gaye apne bacho ko saamne dekh Satish nervous ho gaya

Satish:- dheere se iss bare me baad me baat karte hain Anu

Anukriti:- kyu gandagi faila sakte ho par dikha nahi sakte kaash ki wo bhai sahab jo kuch
der pehle ghar aaye th emaine unke saamne tumhare liye haath na failaye hote tumhe
jeene ka koi hak nahi

Satish:- chilla ke tum hosh me toh ho? kya bole jaa rahi ho

Anukriti:- chillao mat aur maine koi galat baat nahi kahi dusro ki jaan lene wale ko jeene
ka koi hak nahi

Vaani:- mom aap ye kya bole jaa rahi chattaakk

Anukriti:- chup bilkul chup aaj tak main teri saari badmashiyon ko teri naadaani samjh kar
maaf karti rahi tujhe kya lagta hai mujhe nahi pata ki kaise tune Riyansh aur Devansh ke
kaan kaise bhare the uss ladke ke khilaaf main toh bas dono ke jane ka wait kar rahi thi
par isse pehle ki main tujhse kuch puchti ye sab ho gaya tu bhi puri apne baap par gayi hai
apne aap ko sabse upar samjhti hai kis baat ka ghamand hai tujhe zara bata toh na tu
padhai me achi haina hi kisi aur cheez me tere sharir par jo kapde hain naa wo bhi tere
kamaaye paiso ke nahi hain fir kaise tu kisise bhi aage hui bas bohat hua ab main iss ghar
me aur nahi reh sakti main apne maike ja rahi hun Anukriti ki baat sun Satish ko ek aur
jhatka laga shayadi ke itne saal baad aaj pehli baar Anukriti ne maike jane ki baat kahi thi

Satish:- Anu plzzz meri baat toh suno Satish ne jaise hi Anukriti ka haath pakda Anukriti
ne apna haath jhatak diya

Anukriti:- door raho mujhse ye janene ke baad ki tum ek khooni ho darinde ho main nahi
chahti ki tum mujhe haath bhi lagao Satish Avantika sabne Anukriti ko rokne ki bohat
koshish ki par wo nahi ruki aur apna samaan pack kar car me baith nikal gayi wahi dusri
taraf Gulshan ji ne Madox ka number dial kiya par Madox ka number not reachable aaya

Gulshan ji:- baad me saamne se milke unka shukriya adaa kar dunga

Back to hero:

Main:- aapka bohat bohat shukriya aaj aapki wajah se hi main zinda hun

Alesandra:- aapko shukriya kehne ki zaroorat nahi hai ye mera soubhagya hai ki main
aapke kuch kaam aayi
Main:- ek rajkumari ke liye itna saral honabohat badi baat hai

Alesandra:- rajkumari me bhaagya se bani hun aur jo bhaagya se mila hous chiz pe kaisa
ghamand

Main:- waah par ye baat bhi aksar log bhool jaate hain

Alesandra:- har kisi ki soch alag hoti hai kisiko apne mehnat par ghamand hota hai toh
kisiko apne bhaagya par

Main:- par jis vyakti ko apne bhaagya par ya fir apne mehnat par bhi ghamand nahi hota
uske saamne sir apne aap jhuk jata hai ye bolkar main Alesendra ke saamne jhuk gaya

Alesendra:- arre ye aap kya kar rahe hain hamare saamne jhuk kar aap hame paap ka
bhagidaar mat banaiye Alesendra ne mujhe mere kandho se pakad kar utha liya

Main:- ek sawal ka jawab dengi

Alesendra:- maine aapko pehle hi bola tha ki aap mujhse kuch bhi puch sakte hain

Main:- jahan meri ladhai ho rahi thi aap waha kaise pahunch gayi? aur aapne meri jaan
kyu bachayi?

Alesendra:- meri nazar aappe apki ladhayi ki shuruat se thi aur maine apko issliye bachaya
kyu ki mujhe aisa karne ke liye aisa kaha gaya tha ab aap ye mat puch lijiyega ki kiske
kehne par maine aapki jaan bachayi thi sahi samay aane par ye aapko apne aap pata chal
jayega

Main:- nahi puchunga aap aisa hi kuch jawab dengiiska mujhe andaza tha par ek baat
bataiyemain aapka dimag kyu nahi padh paa raha hun

Alesandra:- isla ki rajkumari ka dimag padhna aasaan nahi hai is pure bramhaand me sirf
ek hi aisa shaksh hai jo mera dimag padh paya hai par wo bhi sirf issliye kyu ki mere
mastishk aur hriday ne usse aisa karne ki ijazat di thi aur abhi toh aap khud se hi anjaan
hai aise me mere dimag ko padhna aapke liye sambhav nahi jis din aap mere dimag ko
padhne ke layak ho jayengemain aapko aisa karne ki ijazat de dungi

Main:- arre baap re ek simple se sawal ka itna tedha medha answer rehne dijiye nahi
padhna mujhe aapka dimag Alesendra meri baaton sun kar hans di

Alesendra:- ye jo aap beech beech me kisi anya bhaasha ka proyag karte haisunne me kafi
dilchasp hai kya ye bhasha main aapse le sakti hun
Main:- zaroor maine apna haath aage kar diya Alesendra ne mere haath ko pakad liya aur
apni aankhen band kar english sikhne lagi aaahhh abhi Alesendra ko mera haath pakde ek
sec bhi nahi hua tha ki usse ek zor ka jhatka laga aur wo peeche ki taraf gir gayi main
turant uske paas gaya aur usse utha liya par ye dekhkar mujhe raahat mili ki usse koi chot
nahi aayi thi maine usse sahara dekar khada kiya

Main:- aap thek toh hain aur ye sab kya tha?

Alesendra:- main aapke mastishk se jud nahi payi main iss layak nahi ki aapke andar se koi
hunarkoi shisksha bahar nikal sakun par koi baat nahi main Prithvi ke kisi bhi insaan se
judkar ye bhasha sikh jaungi

Main:- maaf kijiyegamain aapke kaam nahi aa saka par ab mujhe chalna chahiye already
kafi late ho chuka hai pata nahi mere gharwalon ka kya haal ho raha hoga

Alesandra:- zaroor Alesandra ne apne haath aage kiye mere saamne ek world door khul
gaya

Alesendra:- jaiye

Main:- fir mulakat hogi maine Alesandra se haath milaya usse mera aisa karna ajeeb laga

Main:- hamare yaha hi aur bye kehna ka ye bhi ek tarika hai Alesendra halke se muskura
di Alesandra ne apna haath meri taraf ghumaya mere sharir par kapde aa gaye

Main:- ye kya hai be

Alesendra:- pasand aaya naa ye hamare shaahi kapde hain

Main:- aapke grah ko ek costume designer ki sakht zaroorat hai?

Alesendra:- wo kya hota hai?

Main:- jab aap kisi Prithvi waasi se english ka knowledge lengi toh aapko apne aap pata
chal jayega

Main:- fir mulakat hogi ye bol main uss world door me ghus gaya world door ke dusri taraf
jahan main iss waqt pahuncha thaye mere ghar ke paas wala garden hi tha jahan roz
morning me hum teen dost exercise karte hain abhi raat ka waqt tha garden band ho
chuka tha maine palat kar dekha toh mujhe world door ke dusri taraf Alesendra
muskurate hue dikhi maine usse wave kiya thek ussi waqt world door band ho gaya
Alesendra:- aaj kudrat hame ek naya karishma dikha gayi saamne se tu gaya yaad hume
kisi aur ki aa gayi

Main:- yaar yaha toh raat ho gayi hai par time kya hua hai jitna bhi hua homujhe gayab
hue kamsekam 30 ghante toh ho hi gaye honge pata nahi ghar me kaisa mahoul hoga chal
betajaldi chal main chalte hue garden ke diwal ke paas aa gaya ek jump aur main diwal ke
dusri taraf tha main doudte hue (normal speed) ghar ki taraf nikal gaya

In Hospital:

A/Mom:- Minukab tak yunhi baithi rahegi kal se tune kuch bhi nahi khaya haiplease kuch
khaale tu bilkul tension mat ledekhna bhai sahab hamare Vicky ko kahi se bhi dhund
nikaalenge ye bolte waqt Neha ke aankhon se aansu nikal aaye par Minu chup chaap ek
tak Shunya ko ghurti hui baithi rahi

A/Mom:- Kavita tune bhi kal se kuch nahi khaaya please yaar koi toh meri baat samjho
Vicky aur Ronit jab hamare saamne aayenge toh mujhe bolenge ki maine unki moms ka
khayal nahi rakha par Neha ki baat ka dono par koi asar nahi pada padta bhi kaise ek ka
beta behosh pada hua thaaur dusre ka laapata aise me dono kaise normal reh sakti hain

Neha:- bhai sahab aa gaye Neha ki baat sun Minu ne jhat se apna chehre uthaya saamne
se Jairaj Aakash aur Harpreet aa rahe the Minu bhagti hui gayi aur Jairaj ke saamne khadi
ho gayi

Minu:- kaha hai mera beta? aapke saath nahi aaya kya Minu apne chehre par ek aas ek
ummid liye boli par Jairaj kuch nahi bole bas chehra neeche kar liya Jairaj ke sar neeche
karte hi Minu ki ummid bhi toot gayi

Minu:- aise sar ko neeche mat jhukaiye main kuch nahi jantimujhe har haal me mera beta
chahiye agar mujhe mera beta nahi mila toh main bhi apni jaan de dungi

Jairaj:- Minuu Jairaj itne zor se cheekhe ki Minu ke saath saath waha khade sab dar gaye

Jairaj:- ya kya mera beta mera beta bol rahi ho tum kya wo mera beta nahi hai ya sirf
issliye ki tumhare aankhon me aansu hai aur mere nahi toh iska matlab ki tum usse mujhse
zyada pyar karti ho aansu bahana sab se aasaan hota hai Minu kyu ki ye laachari ki nishani
hai bas ro diye aur kahani khatam par tum nahi samjhogi maa hona ek baap ke dard ko
nahi samjh sakti kal jab se pata chala hai ki mera beta gayab hai main ek second ke liye
bhi shaant nahi baitha gali gali ghum raha hun mai jahan bhi mere bete ki milne ki zara si
bhi ummid hihar uss jagah par jaa chuka hun mai tumhe zara bhi andaza hai ki jab beta
gayab hoaur aap usse har jagah paagalon ki tarah dhund rahe honaur fir bhi wo naa
miletoh khudko samjha kar fir se koshish karne ke liye kitni himmat lagti hai pichle 24
ghanton me 24 mout mara hun main mere dil ka haal kya hai ye sirf main hi janta hun par
tum nahi samjhogi ye bol Jairaj tezi se wapas bahar ki taraf nikal gaye Minu bhi ek tak
apne pati ko jaate dekhti rahi

Harpreet:- Aakash tu Jairaj ke peeche jaa Aakash tezi se Jairaj jis taraf gaye the uss taraf
chala gaya

Harpreet:- bhabhiaap tension mat lo humne commisioner se lekar c m tak ko Vicky ki


photo de di hai pure state me nakabandi jar di gayi hai Police har taraf hamare Vicky ko
dhund rahi hai bhabhi yakin karo hamare Vicky ko kuch nahi hoga wo zaroor mil jayega
Harpreet ki baat sun Minu ko thoda housla aaya par saath me wo ye soch kar dukhi bhi
ho gayi ki aaj anjane me hi sahiusne apne pati ke dil ko thes pahunchayi hai

Harpreet:- Neha se bhabhi ab Ronit kaisa hai?

Neha:- abhi bhi behosh hai par Drs keh rahe the ki jaldi hi usse hosh aa jayega

Harpreet:- thank God waise bhabhi aap sab toh yahi hainfir andar room me kaun hai?
Neha:- Anjali hai wo toh ek second ke kiye bhi Ronit se door nahi gayi hai

Harpreet:- main ek baar Ronit ko dekh kar aata hun Harpreet Ronit ke room ki taraf chal
diye

Back to hero:

Main:- uncle gate kholiye maine gate mike par bola guard uncle andar moniter room me
the awaaz sunkar jaise hi unhone screen par mujhe dekha wo jhat se bahar aaye aur gate
khol diya

Guard:- Vicky baba aap aap kaha chale gaye the? aur ye aapne kya pehna hua hai darasal
Alesendra madam ke hissab se jo shahi kapde hain usse hamari duniya me bathrobe bolte
hain ab ye pehen ke ghumunga toh log sawal toh kare ge hi

Main:- shaahi kapde

Guard:- kya

Main:- kuch nahi uncle aap ye batayiye ki mom dad kaha hai? andar hi hai kya?
Guard:- nahi baba wo Ronit baba behosh hai naa toh sab hospital me hain hospital sunkar
mujhe jhatka laga kyu ki maine toh Ronit ke charo taraf shield bicha diya tha fir usse chot
kaise lag gayi ye sochte sochte main ghar andar aa gaya maine dress change ki aur apni
bike nikalkar hospital ki taraf nikal gaya kapde pehente waqt maine apni senses se pata
laga liya tha ki Ronit hospital me kyu hai aur mere jane ke baad kya kya hua ek taraf jahan
main khush tha ye jaankar ki Ronit bas shock ki wajah se behosh hua hai wahi mom aur
dad ki haalat ka pata chalne par mujhe bohat dukh hua tha par ab jo hua so hua main tezi
se bike bhagate hue hospital ki taraf nikal pada

Back to Hospital:

Akash uncle:- yaar tu kabse bhabhiji se naraz hone laga? iss waqt dad aur Akash uncle
hopital ke ground floor ke lobby me khade the

Dad:- main naraz nahi hun yaar bas upset hun beta uska nahi hamara khoya hai main janta
hun aur mera rab janta haiis waqt mujhe kaisa lag raha hai

Akash:- oyewo mera bhi beta hai jitna dukh tujhe haiutna mujhe bhi hai par mujhe rab
par pura bharosa hai dekhna rab hamare bache ko har taklif se bacha kar le aageya aapki
dua kubool hui uncle awaaz sun jaise hi dad aur uncle palte unki aankhen hairat se faile
gayi unki khushi ka thekana nahi tha main jo unke peeche muskurata hua khada tha dad
daud kar aaye aur mere gale lag gaye aur dabi hui awaaz me rone lage unke rone ki shiddat
se mere liye unke pyar ka andaza lagaya jaa sakta tha log toh bekar hi maa ke pyar ka
bolbaala karte hain par ek baap ki chaahatuski shiddat uske samarpan jitni pavitrata kisi
bhi rishte me nahi mil sakti maine bhi dad ko hug kar liya koshish toh bohat kipar mere
bhi aankhon se aansu nikal aaye

Akash:- oye khoteya hame bhi gale laga le yaar bhale hi roya nahipar taklif mujhe bhi tere
baap jitni hi hui thi main dad se alag hua aur Akash uncle ke gale lag gaya

Main:- mujhe pata hai uncle aur aap kahi se bhi mere liye mere parents se kam nahi hain
kuch der tak yunhi sewnti maahoul raha par fir aayi mudde ki baat

Dad:- beta tu kaha gaayab ho gaya tha aur dekhsach batanamujhe maalum hai ki tu apni
problems khud handle kar sakta hai par mera bhi ye janana zaroori hai

Main:- of course dad maine ghar par jo batane ka socha tha kuch sach aur kuch jhoot wo
batana shuru kiya
Main:- dad yaad hai uss shaam ko hame invite karne ek ladka aaya tha Madox ye sab kiya
dhara ussi ka hai meri baat sun dad aur uncle shocked ho gaye

Dad:- par uski tujhse kya dushmani

Main:- wo toh pata nahi dad par usne mujhe aur Ronit dono ko target kiya tha kal shaam
ko main Ronit ke gahr jane ke liye nikla hi tha ki mom ki baat se mujhe yaad aaya ki Ronit
toh school me haimain apne room pahuncha hi tha ki mujhe ek call aaya ye call Madox ka
tha usne mujhe bola ki agar Ronit ki zindagi bachana chahte ho toh iss pate par aa jao
mom ko batane ka time nahi tha toh unhe bin bataye hi main turant waha ke liye nikla
jahan Madox ne mujhe bulaya thaye uske dad ka hi koi Godown tha main jab waha
pahuncha toh dekha Ronit ek chair se bandha hua tha par usse koi chot nahi aayi thi mera
dhayan Ronit ki taraf tha issliye maine aaju baaju dhayan nahi diya main usse kholne ke
liye aage badha hi tha ki itne me piche se mere sir par kisine rod maar diya mujhe rod
padte hi Ronit ki cheekh naikal gayi aur wo behosh ho gaya maine palat kar dekha toh
Madox haath me rod liye khada muskura raha tha isse aage main kuch dekh nahi paya aur
behosh ho gaya meri behoshi aaj dopahar ko tuti maine dekha main kisi alag kothari type
jagah me baitha hua tha par mere haath paaon nahi bandhe the mere charo taraf bohat
se log khade the shayad unhe laga ki itne logon ke saamne main kuch nahi kar paunga
issliye unhone mere haath paaon nahi baandhe the mere sar me tab bhi kafi dard tha par
maine apne dard ko control kiya aur bhid gaya une kuch hi der me aadhe se zyaada bande
gir chuke the aur baaki ke aadhe bhaag gaye the bhaagne walon me se ek Madox bhi tha
fir kya tha wahi bahar ek bike khadi thi shayad unhi me se kisiki thi main uspe baitha aur
ghar nikal gaya ghar par pata chala ki aap sab yaha hai issliye main bhi yahi aa gaya mere
sar par rod se maara gaya tha ye jaankar dad mere sar ke peeche haath lagakar dekhne
lage

Main:- dad kuch nahi hai aapko mera tonic yaad hai naa uski ek shishi mere paas hamesha
rehti hai maine usse waha se nikalte waqt hi pili thi thodi der me hi mera ghaav bhar gaya
tha (ye sab maine issliye bola kyu ki mujhe ye pata lagana tha ki Madox bhi meri hi tarah
bach toh nahi gaya)

Dad:- uss saale Balbeer ke ladke ki toh dad apna mobile nikalkar kisi ko call karne lage

Main:- daddad ye sab baad me kar lena abhi mom ke paas chalte hain aur fir mujhe Ronit
ko bhi toh dekhna hai
Dad:- haan yaar jaldi chal teri maa ka toh sabse zyada bura haal hai hum lift me ghus gaye
aur kuch hi der me hum mom wale floor par the main dad ke peeche chal raha tha saamne
se koi bhi mujhe nahi dekh sakta tha dad ko aate dekh mom daud kar unke gale lag gayi

Mom:- mujhe maaf kar dijiye main ghusse me na jane kya kya bol gayi

Dad:- agar naraz hone ke baad aap yunhi humse har baar gale lagengitoh aap jitni baar
chahe utni baar naraz ho sakti hain dad ki baat sun mom ne unki taraf dekha par ab dad
ke chehre par dard nahi khushi jhalak rahi thi jise dekhkar mom surprised ho gayi

Mom:- ye aapko achanak kya hua?

Dad:- tumhare liye ek surprise hai dekhogi mom ne kuch kahanahi bas aankhon me sawal
liye dad ki taraf dekhne lagi dad ne mom ko kandhe se pakad halka side kar diya Vickyyy
mujhe dekh mom mera naam cheekhte hue mere gale lag gayi waha baithe sabhi doudte
hue hamare taraf aaye aur mujhe apne saamne dekh sabhi ke aankh me khushi ke aansu
aa gaye

Mom:- kaha chala gaya tha tu tujhe ek pal ke liye bhi apni mom ka khayal nahi aaya main
kuch der tak mom ko manata raha fir baari baari sabhi ne mujhse same shikayat ki Neha
aunty ne as usual mere kaan pakde fir aakhir me ye sawal aaya ki main kaha chala gaya
tha jiska jawab dad ne wahi diya jo maine unhe bataya tha bas hamla karne wale ko
gumnaam bataya

Main:- ab aap logon ke sawal khatam ho gaye toh main Ronit se mil aaun Ronit naam
sunte hi Kavita aunty jo mujhe sahi salamat dekhkar ek pal ke liye apne bete ko bhool hi
gayi thi unke aankhon me fir se ansu aa gaye jo maine dekh liya

Main:- auntyRonit ko kuch nahi hua hai aap rona band kariye warna main aapse baat nahi
karunga

Aunty:- jiska tere jaisa dost ho usse kuch ho bhi nahi sakta beta aur baat mat karke toh
dikha haath pair tod dungi samjha maine aunty ko side se hug kiya aur room ke andar
chala gaya

Main:- itne pyar se mat dekh kahi uska dil dhadakna na band kar de meri awaaz sun jaise
hi Anjali paltimujhe apne saamne dekh daud kar aaayi aur mere lag gayi

Main:- bas kar aur apna pyar iss gadhe ke liye bacha kar rakh

Anjali:- chup kar kuch bhi bolta hai


Main:- hahaha dekhte hain arre waah hamare aate hi Ronit ko hosh aa gaya meri baat sun
Anjali turant paltiRonit hoh me aa chuka tha hua ye ki jab Anjali mere gale lagi hui thi toh
maine apna ek haath Ronit ki taraf kar diya mere haath se roshni nikal Ronit ke sar me
ghus gayi aur uski aankhen khul gayi bhai sahab hame hi dekh raha tha actually mujhe kal
itna hit show jo dikhaya tha saale ko Anjali turant gayi aur Ronit ke upar kud gayi Ronit ne
bhi usse baahon me bhar liya par uski nazar ab bhi meri taraf thi

Main:- Ronit kal jo hua wo kisi ko batana mat main saari sachai tujhe baad me bataunga
Ronit meri awaaz sun fir se chonk gaya kyu ki ye baat maine mind to mind usse kahi thi
par kal ki wajah se uske liye ab ye sab zyada shocking nahi tha usne aankh neeche kar ke
haami bhari maine muskurate hue palta aur bahar jaakar sabko Ronit ke hosh aane ki
khabar de di sab khushi se uchal pade aur room ke andar chale gaye

Wahi dusri taraf:

Aadmi:- mera naam ****** hai mujhe Balbeer ji ne milne ke liye bulaya hai

Security:- ek min rukiye security guard ne andar phone kiya aur aane wale ke bare me
confirm kiya

Security:- aap ja sakte hain uss aadmi ne apni car andar le li ye ek bada sa farm house tha
jo ki shahar se bahar tha

Balbeer:- aaiye aaiye main aap hi ka wait kar raha tha

Aadmi:- ****** nazar nahi aa rahe uss aadmi ke mouh se *****naam sun Balbeer jo apne
ko shant rakhne ki koshish kar raha thauska dimag kharab ho gaya usne jeb se gun nikal
aur dhaayyyann wo goli uss aadmi ke sar ke beecho beech lagi aur ye janane se pehle hi
ki aakhir hua kya hai wo aadmi mar chuka tha

Balbeer:- saale ye sab teri wajah se hi hua hai mil gaya tujhe tera jawab Mr Gulshan Ahuja

Uncle Nanu aur Nani itne normal kaise hain

Jairaj:- normal matlab tere kehna ka matlab hai ki mom dad abnormal hain subah ka waqt
hai breakfast ke baad hum sab bahar pool ke paas baithe hue hain aaj Ronit aur Anjali ne
bhi hamare saath hi naashta kiya tha mom ka jo order tha ye sawal bhi Ronit ke taraf se
hi aaya tha hum sab ko kal raat hopital se loutete loutete kafi der ho gaya tha ghar par sirf
nana nani the jo so chuke the unse main aaj subah hi mila tha dad ne maama ji ko apne
naye project ke kaam se Bangalore bheja tha maam ji kabhi bhi kahi ghumne nahi gayi thi
issliye dad ne unhe aur bacho ko bhi mama ji ke saath bhej diya tha nanu aur nani ko dad
aur mom ne kuch bhi nahi bataya tha parso hospital pahunchne ke baad dad ne ghar par
phone kar nana ji ko ye bola tha ki unhe urgent meeting ke liye Chennai nikalna padh raha
hai aur Minu ki kisi frnd ka accident ho gaya hai issliye wo ek din uski frnd ke paas hi rukegi
issliye nana nani itne normal behave kar rahe the ye saari baatein dad ne Ronit aur Anjali
ko batadi

Dad:- samjhe barkhurdar

Ronit:- samjh gaya par thoda thoda toh bata dena tha naa issi bahaane nani mujhe thoda
laad karti aahhh yaha Ronit ka bolna khatam hua waha meri aur Anjali ki taraf se uske sar
par ek ek tapli padi

Main:- itna laad kafi hai ki aur chahiye

Ronit:- sar sehlaate hue saalo tum dono mujhse jalte ho

Anjali:- wo aur kisliye bhala

Ronit:- kyu ki nanu aur nani mujhse zyada pyar jo karte hain Ronit ki baat sun mom dad
hans diye aur humne uske sar par ek aur tapli baja di

Main:- hum bhi tujhse bohat pyar karte hain ye tapliyan hamare pyar ki nishani hai

Ronit:- nahi chahiye tum dono ka pyar naanu aur nani ka pyar hi kafi hai Ronit ne sar ko
sehlaate hue kaha hum sab firse hans diye

Main:- kya dad aapne hume aaj school jane se kyu rok diya ab saara din hum kya kare ge

Jairaj:- tum log toh abhi se budhe ho gaye ho bache toh chutti milne par khush hote hain
aur tu afsos kar raha hai

Mom:- arre bachon2 din hum sab kitne stressed the aur tum dono ne kitna kuch saha aur
meri bachi bhi do din se kitne tension me thi issliye inho ne tum teeno ko aaj school jane
se roka

Jairaj:- exactly ab tum teeno bhaago yaha se ghumo firo enjoy karo aur shaam se pehle
apna mouh mat dikhana

Anjali:- matlab full on party wo bhi din bhar woww maza aa gaya

Ronit:- haan yaar main bhi soye soye thak gaya tha chalo kuch toh entertaing hoga aahh
aur Ronit sir ke issi dialouge ke saath hi unke sar par hamare paak saaf haathon ke dwaara
ek aur tapli ka swagat hua aur teeno haste masti karte hue nikal gaye
Main:- toh pehle kaha chalen?

Anjali:- abhi toh koi mall bhi nahi khula hoga

Ronit:- Juhu me ek naya garden khula hai suna hai bohat acha hai wahi chalte hain fir bhai
sahab ko hame kuch jawab bhi dene hain

Anjali:- kaise jawab?

Ronit:- garden toh chal pehle sab pata chal jayega main janta tha ki ye kamina pura sach
jane bina nahi maane ga aur waise bhi in dono ko sach batane ka waqt aa gaya tha at least
jitna mujhe pata tha kyu ki aage jo in dono ke saath hone wala thauske liye inhe mentally
prepared hona zaroori tha isliye maine bhi Ronit ki baat pe haan me sar hila diya aur hum
nikal pade garden ki taraf

Wahi dusri taraf:

Satish:- ye aap kya bakwaas kar rahe hain Satish iss waqt phone pe Inspector se baat kar
raha tha

Inspector:- dekhiye main janta hun ki ye sunna aapke liye kitna mushkil hai par yahi sach
hai maine puri shinakht karne ke baad hi aapko phone lagaya hai aap jitni jaldi ho sake
******* hospital aa jaiye Satish anan faanan me hospital ke liye nikla Inspector niche
reception ke paas hi khada tha Satish ke hospital pahunchte hi uski nazar Satish par chali
gayi wo Satish ko lekar morg ki taraf nikal pada dekhiye ye Gulshan Ahuja hi hai naa morg
pahunchkar Inspector ne ek cold storage khulwaya jiske andar ek laash rakhi hui thi aur
uski haalat bohat kharab thi maathe ke theek bicho beech goli lagi thi chehra kafi bigad
gaya tha par fir bhi pehchaan me aa raha tha

Inspector:- aur ye raha driving licence jo hume inke purse se mila tha par laash dekhne ke
baad se hi Satish ka dimag fuse ho chuka tha usse Inspector ki baat sunayi hi nahi di wo
wahi baithkar rone laga upar wale ka insaaf dekhiye ye wahi hospital tha jahan ek din
pehle Ronit admit tha aur iske peeche kahi na kahi Gulshan zimmedar tha aur aaj ussi
hospital ke morg me Gulshan ki dead body padi hui thi kuch der laga Satish ko normal
hone me

Satish:- mere dad par kisne goli chalai? ye baat Satish ne bohat ghusse me kahi thi

Inspector:- chaanbin jaari hai jaise hi hame kuch pata chalta hai hum aapko khabar kar
denge aap apne sabhi rishtedaro ko call karkar bula len inki mout ko ek din ho chuka hai
aapko inka antim sanskar kar dena chahiye Satish ne bujhe mann se sab gharwalon ko call
karke bata diya wahi Avantika & sisters apni class me thi jab peon ne aakar unhe bataya
ki Princi unhe bula rahe hain aur jaise hi charo behne Princi ke office pahunche unhe ek
zor ka jhatka laga jab Princi ne unhe bataya ki unke Dada ji guzar chuke hain aur unhe
hospital bulaya gaya hai charon aanan faanan me school se nikle Princi ne unhe apni car
se hospital drop karwaya aur jaise hi hospital pahunch kar Avantika ne apne dadu ko
dekha wo chakkar khaa kar gir gayi sabhi usse hosh me lane me lag gaye kuch der baad
jab Avantika ko hosh aaya toh wo apne dadu ki body se lipat kar rone lagi aaj Avantika ke
rone me wo dard thaki shayad koi devil bhi sunle toh uske bhi aankhon se aansu nikal jaye
shaam tak hospital Ahuja's aur Aroras se bhar chuki thi Anukriti ko bhi Gulshan ki maut ke
bare me pata chal gaya tha wo bhi hospital pahunch gayi thi par usne Satish aur Vaani
dono se hi koi baat nahi ki thi par unhone Satish se baat ki aur wo bhi aisi ki Satish ka
antarman ek baar me hil gaya shaam ka waqt tha Dada ji ki body ko antim vidayi dekar
unki raakh samet sab abhi abhi ghar pauhunche the

Satish:- phone par 24 ghanton ke andar pata lagao ki ye sab kisne kiya hai warna tere ghar
me bhi mere ghar jaisi hi chita jalegi ye bol kar Satish ne call kaat diya par uski baat paas
hi khadi Anukriti ne sun li

Anukriti:- kya baat hai itna ghussa wo bhi sirf ek mout pe ye toh galat baat hai? dono ke
paas me hi Avantika aur uske dad khade the Anukriti ki baat sun wo bhi shocked ho gaye

Satish:- tumhara dimag toh kaha rab nahi ho gaya dad the wo mere aur tum isse bas ek
mout kehti ho

Anukriti:- acha dad the aur jitno ki jaan tumne li haiwo sab lawaris the kya unke
bhaibehanmaabaapbache wagairah nahi the? ya unki zindagi tumhari zindagi jitni mahan
nahi thi unke jeevan ka koi arth nahi tha duniya gol hai Mr Satish jo boyega wahi payega
jis din tumne pehli baar kisi ka ghar ujada tha na ussi waqt tumne apne pariwar ki barbaadi
bhi likh di thi issliye bhadakna chhodo aur sach ko maan lo wahi hua hai jo hona chahiye
tha ye bolkar Anukriti chali gayi aur piche reh gaye aankh me aansu bhare hue Satish aur
Naveen par iss baar ke aansu unke pita ke liye nahi thebalki un sabhi kukarmo ke liye thejo
aaj tak unhone kiye the aur inhi pashchataap ke aansuon ke saath 1 st chapter ke pehle
negetive subjects (Ahuja"s family) sudhar gaye

Back to hero:

Anjali:- matlab kuch bhi naa kuch bhi tu fekte jaa main lapetati jati hun hum iss waqt Juhu
ke garden me the Ronit ne Anjali ko uss din kya kya hua tha wo sab kuch bata diya tha aur
jise sunkar Anjali madam aisa response de rahi thi
Ronit:- Vjjjj saale main hi bolta rahutu bhi toh kuch bol

Anjali:- oye Vj teri tarah feku nahi hai samjha

Main:- ye sach bol raha hai

Anjali:- tu bhi aaj 1st april toh hai nahifir tum ono mujhe ullu banane pe kyu tuleee Anjali
madam aur kuch bol nahi payin madam hawa me jo uth chuki thi

Anjali:- ye kaisa trick hai Vj mujhe aisa mazak bilkul pasand madam aage bol nahi paye
kyu ki agle hi pal main aur Ronit bhi hawa me the

Ronit:- wow yaar maza aa gaya

Anjali:- chup be aur Vjmujhe uchayi se dar lagta haiplz mujhe neeche utar Anjali ke aisa
bolte hi hum teeno neeche aa gaye

Ronit:- kyu main toh fek raha tha naa ab lapet par Anjali madam ke mouh jaise jaam ho
gaya tha wo bas aankhen faade meri taraf dekh rahi thi Ronit ke hilane se wo hosh me
aayi

Anjali:- aisa kaise ho sakta hai? I mean ye sab toh science fiction movies me hota hai naa

Main:- pehle main bhi aisa hi sochta tha jab tak maine bhi apni aakhon se ye sab nahi dekh
liya

Ronit:- ab aaya na main point pe wahi toh mujhe janana haiki tune ye sab kaha se sikha

Anjali:- mujhe nahi hume bol na yaar mujhse aur suspense bardaasht mahi hoga fir maine
jo bhi mere saath hua hai wo sab bata diya

Ronit:- wow kya story hai yaar mere toh rongte khade ho gaye

Anjali:- aur iska matab wo Dhawali jheel wali kahani bhi sach hai aur itna hi nahi wo sach
bhi tujhse juda hua hai maine bas mundi haan me hila di

Ronit:- waah yaar maza aayega hum bhi tere saath jayenge

Main:- tera dimag toh kaha rab nahi ho gaya tum dono waha nahi jaa sakte

Ronit:- jayenge toh hum tere saath warna tujhe bhi nahi jane denge

Main:- main apni niyati se nahi bhaag sakta aur tum dono mere saath jane ki zid chhod do
kyu ki aisa karke tum dono God ki marzi ke khilaf jaa rahe ho
Ronit:- bas basitni badi badi baat mere samjh me nahi aati thek hai hum nahi jayenge par
saale agar tu

Anjali:- sahi salamat uss jheel se wapas nahi aaya naa toh hum teri jaan le lenge Ronit ki
baat Anjali ne puri kar di main kuch kehta usse pehle hi mere dil me ek dard sa utha
aankhon se apne aap aansu nikalne lage mujhe kuch samjh nahin aaya ki ye achanak mere
saath kya ho raha hai main apni aankhen band kar iska reason pata lagane hi wala tha ki
mere andar chuppe book ne mujhe aisa karne se rok diya Vikram nahi jaan sakta toh kya
hua main aapko Vikram ke aansuon ke peeche ka reason bata deta hun (ye wahi waqt tha
jab Avantika apne dadu ki dead body se lipatkar ro rahi thi Vikram ke dil ne Avantika ke
dil ke dard ko mehsoos kar liya tha issliye Vikram ke aankhon me aansu aa gaye the)

Anjali:- ab tujhe kya hua humne kuch zyada senti baat kar di kya

Main:- teri baaton se jo pet me dard paida hua naaye ussike aansu hain aise hi masti karte
hue hum garden me ghumne lage fir kuch khaas nahi hua hum din bhar ghumte rahe aur
aise hi ek aur din nikal gaya

Next day in School:

Main:- kya baat hai aaj puri Ahujas family hi gayab hai hum just class me aaye the maine
nazar ghumain toh Ahuja sisters gayab thi ye baatein mere mouh se apne aap nikal gaye

Ronit:- tujhe badi fikr ho rahi hai

Main:- haan bohat zyada utni hi jitni tujhe padhai ki fikr ho rahi hai

Ronit:- abbe tu ye har baar mere padhai ko hi beech me kyu laata hai dekhnais baar aise
number laaunga ki tere hosh ud jayenge

Main:- mere toh abhi se hosh ud gaye kahi main pagal na ho jaaun

Anjali:- tum dono chup karo saamne dekho maam aa gayi hain humne saamne dekha
saamne sach me maam thi fir hum bhi chup chaap baithkar padhai me dhayan dene lage
aur aise hi din beetne lage par kuch din baad mujhe ek shock laga ab aisi kya baat ho gayi
toh chaliye khud dekh lijiye

Darshana:- (class mate) tujhe pata hai Avantika aur uski behno ne school chhod diya hai
kal main Princi ke office gayi thi toh unke yaha se koi TC lene aaya tha ye baat Darshana
ne Anjali ko batayi thi aur Anjali ne hame batayi ye baat wakayi shocking thi kyu ki aadha
saal toh nikal gaya tha aur agle saal hamare board exams the aise yun achanak school
chhod dena wo bhi Avantika jaisi brilliant student ke liye bohat badi baat thi ek pal ke liye
toh mera mann kiya ki maajre ka pata lagaun par fir maine socha ki mujhe kya jo mann
aaye wo kare aur kuch hi dino me main Avantika ke chapter ko bhula chuka tha waqt itni
tezi se beeteta hai ki pata hi nahi chalta dekhte hi dekhte hamara 11th aur fir 12th bhi pura
ho gaya main 12th me bhi national topper raha par ek nayi baat hui hamare Ronit bhai
sahab class me 3rd aaye the aur saale ki khushi dekhte hi banti thi yaha tak ki mere mom
dad bhi mere first aane se zyada Ronit ke third aane se khush the saale ne pehli baar kuch
dhang ka kaam jo kiya tha vacations me hum sab iss baar Australia gaye naache gaaye
dhoom machaye humne khoob dhamal kiya sab kuch back to normal ho gaya tha par jaisa
ki maine kaha tha ki jo normal rahe wo hamari life toh ho nahi sakti mujhe ye toh pata tha
ki mujhme kuch toh khaas hai par ye nahi maalum tha ki mere saath kuch aisa hone wala
hai ki mera astitva hi badal jayega iski shuruwat mere 18 th birthday se theek ek mahine
pehle hui main raat ko soya hua tha ki achanak mujhe mere sapne me ek speare dikhayi
diya mujhe apne seene me ek tez dard hua main ek jhatke me uth ka baith gaya mere
seene me ab bhi kafi dard ho raha tha ki tabhu ek tez roshni mere seene ke upar ubhari
aur book bahar aa gayi

Book:- pehla dard mubarak ho Vikram

Main:- waah insaano ki duniya me rah kar tum bhi taana maarna sikh gaye waise tumhara
pehle dard se kya matlab hai

Book:- ab tumhe ye dard har raat ko hoga

Main:- aisa kyu? kya uss speare ne mujhe pehchaan liya hai

Book:- nahi ye dard maine tumhe diya hai ab tak jis mantra ka tum jaap karte aa rahe ho
mujhe ye dekhna hai ki tum iska upyag karne mekitne kamiyab hue ho ab wo samay zyada
door nahi hai jab tumhara saamna uss speare se hoga tumhe tayar hona hoga Vikram jo
dard tumhe abhi hua hai isse ye saabit ho gaya hai ki tum abhi uss mantra ko prayog me
lane me kaamiyab nahi hue ho tumhe adhik dhayan lagana hoga anyatha holy spirits ki
mukti chhodo tum swayam hamesha ke liye uss speare me kaid ho jaoge

Main:- thek hai main abse zyada dhayan lagaunga waise kya main tumse kuch puch sakta
hun

Book:- awashya

Main:- meri har galti ya problem ke bare me tum mujhe bataate ho kya main kabhi khud
bhi kabhi bhi tumhare jitna shakti shaali itna buddhiman ban paaunga
Book:- bohat jald tumhe pata chal jayega aur issi ke saath book gayab hokar mere andar
chali gayi

Main:- do saal me do hazar baar ye dialogue sun chuka hun pata nahi wo waqt kab aayega
mujhe pata nahi tha ki mera waqt bas aane hi wala hai aise hi din beetne lage

Wahi dusre taraf:

Avantika bhi pure state me 5th rank par aayi thi usne paper me dekha tha ki Vikram fir se
India topper bana hai

Avantika:- (mann main) kaash hamari kahani kuch aur hoti kaash hum kisi aur tarike se
mile hote kaash ye main kya soch rahi hun jo hua nahi uske bare me kya sochna chhodoek
achi si college dhund form bhar deti hun ek baat jo ki kafi ajeeb thi wo uski life me honi
shuru ho gayi thi uske sapno me daily ek Sadhu Baba aate the jo usse dekhkar muskurate
rehte the par Avantika ispe zyada dhayan nahi deti Avantika ye nahi janti thi ki uski zindagi
me bhi kuch naya kuch anokha kuch galat aur kuch sahi hone wala hai

24th May hero ke 18th birthday se ek din pehle:

Nana ji:- arre main tum sabko ek baat batana bhul gaya lunch ke baad hum sab ko nanu
ne apne kamre me bulaya

Dad:- kya papa?

Nana ji:- Dhawali jheel yaad hai

Dad:- of course dad kafi interseting kissa bataya tha aapne waha ka

Main:- (mann main) ye kissa aapke bete ki zindagi ki kahani hai dad

Nana ji:- haan toh maana jata hai ki Dhawali jheel me jo bhi hua tha wo Brahma mouhurt
me hua tha aur Bramha mouhurt 25 varsho me ek baar aati hai har Bramha mouhurt me
Dhawali jheel ke paas ke maidam me Dhawali mahotsav manaya jata hai jo pure 7 din tak
chalta hai aur agla Bramha mouhurt kal hai toh kal se Dhawalgarh me Dhawali mahotsav
manaya jaa raha hai aur hum sab isse dekhne Dhawalgarh jaa rahe hain

Mom:- what a coincidence kal Vicky ka birthday bhi hai

Nana ji:- wahi toh hamare pota kitna bhagya shaali hai jo uska janam din bramh mouhurt
me aa raha hai yaha main kudrat ke khel ke bare me sochte sochte andar hi andar muskura
raha tha jise jahan pahunchana chahti hai usse ye koi na koi bahane se pahuncha hi deti
hai ye tay ho gaya ki hum kal subah hi Dhawalgarh ke liye nikal rahe hain maine call karke
Anjali aur Ronit ko bulaya aur sab bata diya

Anjali:- ye koi coincidence nahi ho sakta mujhe lagta hai tera bulawa aa gaya hai

Main:- mujhe pata hai ab jaise bhi hois kisse ko khatam toh karna hi hai dad ne iss baar
Ronit aur Anjali ke parents ko bhi mana liya humare saath jane ke liye

Main:- (mann main) chal beta aakhri raat araam se soja kal se toh teri parade shuru hone
wali hai par mujhe kya pata tha ki aaj raat hi mujhe apni zindagi ka sabse bada surprise
milne wala hai

Raat 11:45 ko:

Main:- kya baat hai abhi tak koi bhi mere kamre me nahi aaya naa hi Ronit ya Anjali ne
phone kiya hai warna dono competition karke aadhe ghante pehle hi phone kar lete hain
ki dusra pehle wish naa kar paye dekhta hun maine aankhen band ki aur dhayan lagaya
aur jaise jaise main sabke kamre ko dekhta gaya shock hota gaya sab ke sab ghode bech
kar so chuke the yaha tak ki Ronit aur Anjali bhi kahi kuch galat toh nahi ho gaya sochkar
jab maine sabke andar jhaanka toh pata chala ki sab bas soye hue hain aur kuch nahi

Main:- ajib chutiyapa hai itni jaldi so gaye fir main jaag kar kya karunga main bhi so jata
hun main bed par let gaya aur ye meri khubiyon se best khubi hai ki mujhe lette saath hi
neend aa jati hai par abhi mujhe soye kuch 10 min hi hue the ki meri body hawa me uth
gayi meri book nikalkar mere saamne aa gayi ab wo ek khoobsurat ladki thi jo sar jhukayee
khadi thi idhar main neend me ek andheri jagah par khada tha aur idhar udhar dekh raha
tha tabhi achanak mere saamne do badi badi laal aakhen aa gayi ye wahi aankhen thi jo
maine do saal pehle sapne me dekhi thi wo aankhen dheere dheere aur badi hoti jaa rahi
thi iska matlab saaf tha ki wo jo koi bhi tumhare karib aa raha tha pata nahi par main apni
jagah se hil bhi nahi paa raha tha main ek tak un aankhon ko dekhe jaa raha tha par tabhi
waha kuch hua kuch aisa jo main shayad shabdon me bayan na kar paaun par main
koshish karta hun theek mere ore un aankhon ke beech ek choti si laal roshni ubhri uss
roshni ka aakaar bohat kam tha par uske andar se nikalta prakash 100 surya ke prakash
se bhi zyada tha dekhte hi dekhte wo laal roshni badi hone lagi jaise jaise wo badi hone
lagi un do aankhon me jo mere saamne thi unme dard jhalakne laga wo aankhen uss
roshni ke prakash ko nahi jhel payin aur gaayab ho gayi par ek baat ajeeb thi mujh par uss
roshni ki tivrata uski intensity ka koi galat prabhav nahi pad raha tha ulta jaisr jaise wo
roshni badi ho rahi thi aur uski kirne mujhpe padh rahi tabhi mujhe apne andar bohat hi
zyaada taakat mehsoos ho rahi thi jo lagatar badhe hi jaa rahi thi mujhe itni tez roshni me
bhi saamne dekhne me koi problem nahi ho rahi thi mujhe aisa lag raha tha ki main khud
iss roshni ka ek hissa hun ya yu kahu ki ye roshni mera ek hissa hai aur jaise hi maine uss
roshni ko dhayan se dekha main chonk gaya kyu ki wo sirf ek roshni nahi thi wo ek laal
mani thi (kuch yaad aaya doston) aur roshni usme se hi aa rahi thi ek jhatke ka asar khatam
nahi hua tha ki mujhe ek aur jhatka laga maine jaise hi uss roshni ke shroth (mani) ko
pehchana roshni kam ho gayi aur wo mani ek jhatke me mere andar sama gayi idhar mere
kamre me mere sharir ke upar wahi laal mani chamak rahi thi idhar sapne me wo mani
mere andar samayithek ussi waqt mere udte hue sharir me wo mani sama gayi ek second
ke liye pura bramhaand hil gaya ek saath har planet me tez baarish hone lagi yaha tak ki
Monslickel me bhi idhar meri body ko tez jhatke lagne lage meri body par apne aap white
gown jaise kapde aa gaye saari shrishti kaamp gayi thi par mere ghar par kisiko kuch pata
nahi chala sab waise hi besudh soye rahe kuch der tak meri body yunhi hawa me tairti
rahi phir dheere dheere main neeche aa gaya bed par aate hi meri aankh khul gayi aur
main khada ho gaya sirf mere kapde hi nahi badle themera dimag mera dil sab kuch paani
ki tarah saaf ho chuke the mera dimag ab second ke souwe hisse me carodo vicharo
samasya aur unke hal nikalne me saksham ho chuka tha haan ek baat theki ab bhi mere
andar insaano jaisi hi feelings moujud thi par sahi aur galat ki parakh karne ka tarike me
bohat fark aaya tha maine apne saamne dekha mere saamne ka nazara aisa tha jiski
shayad hi kisine kalpana ki ho agar main purana Vikram hota toh ab tak meri aankhen
shock se fat chuki hoti par ab mujhe ye sab normal lag raha tha par haan main khush
bohat tha

Wahi dusri taraf:

yaha Vikram ki aankh khuli wahi dusri taraf gluto me for aankhen aur khul gayi ek Digvijay
ki aur dusri Nishkalika ki dono turant khade hue ek dusre ki tarf dekha aur gayab ho gaye

Back to hero:

mera kamra ab ek 10 acre ki size jitna bada ho gaya tha ye sab ek maaya thi jo mere
saamne moujud angels me se hi kisine kiya tha jee haan doston iss waqt mere saamne
hazaro ki ginti me angels apne ghutno par baithe the aur un sab se aage theek mere
saamne the three Gods messenger sar jhukayee baithe the unke baaju me meri book jo
abhi ek ladki ke roop me thi wo khadi thi par uska bhi sar jhuka hua tha uth jaiye angels
meri awaaz sun sabhi angels khade ho gaye

St Sebastian:- iss din ka humne na jane kitne yugon tak intezar kiya hai aaj aapko apne
saamne dekhkar najane kyu main bhi ek maanav ki tarah bhavuk ho gaya hun
Main:- toh isme bura kya hai maanav God ke banaye gaye sabse amulya ratna hai maanav
hona apne aap me ek samman ki baat hai angels mujhe khushi hui ki aap sab mujhe meri
shakti milne ke waqt mera samman karne ke liye yaha aaye par iss bramhaand me achai
banaye rakhne ki zimmedari aapke kandho par hai aap sab kripa apne kaam me punah
lout jaaten sabhi angels including Gods messenger ne mere aage sar jhukayea aur gayab
ho gaye

Main:- ek baat bataiyemujhe iss bramhaand ke bare me sab kuch pata chal gayapar un
aankhon ke maalik ke bare me nahi jise maine sapne me dekha tha mujhe bas uska ek
saaya hi nazar aata hai aisa kyu? kya aap mujhe ab sach batayengi ya ab bhi mujhe sahi
samay ka intezar karna hoga

Book:- main Vikram se baatein chupa sakti thi lord of angels se nahi jis din aap uss spear
se holy spirits ko mukt kar denge aapko un aankhon ke maalik ke bare me pata chal jayega
maine aapke dimag ke uss hisse ko abhi bhi baandha hua hai jo aapko uske bare me bata
sakti hai kyu ki agar aapne uske bare me jana toh usse bhi aapke bare me pata chal jayega
aur maaf kijiyega par shakti mani paane ke baad bhi abhi aap uske jitne shakti shaali nahi
hue hain uske saamne aane ke liye aapko aur shaktiyan prapt karni hongi

Main:- hmm acha ek sawal ka jawab aur de dijiye ek baar maine aapse kaha tha ki agar
aap insan hoti toh hamare emotions samjhti tab aapne kaha tha ki agar mujhe pata chal
jaye ki aap kis jis se bani hain toh main aisa kabhi nahi kehta toh ab aap batayengi ki aap
kis cheez se bani hain

Book:- God ke aansuon se

Digvijay:- main tumse kuch kehna chahta hun par samjh nahi aa raha hai ki kaise kahu

Nishkalika:- mujhe bhi kuch kehna hai ab hum saath nahi raha sakte Digvijay Nishkalika ki
baat sunkar shocked ho gaya

Nishkalika:- dekho main tumhari dil ki haalat samjh sakti hun par main kya karun pata nahi
kaise par ab mere mann main tumhare liye koi prem nahi hai tumhare kya mere mann
main iss bramhaand ke kisi bhi jeev ke liya prem toh kya humdardi bhi nahi hai pata nahi
kyu aisa hua hai par yahi sach hai

Digvijay:- mujhe koi taklif nahi hui hai balki main toh khush hun ki tumne meri tension
door kar di main khud tumse yahi kehne wala tha ki mere mann main ab tumhari wo chavi
nahi rahi jo kabhi hua karti thi issliye hum alag ho jaate hain par mujhse pehle tumne ye
baat bol di aur rahi baat ki aisa kyu hua toh mujhe aisa lagta hai ki ye un shaktiyon ki wajah
se hua hai jo un diamonds ne hume di hai mujhe apne andar ke har jazbaat bante bigadte
se mehsoos ho rahe hain

Nishkalika:- toh ab

Digvijay:- tum gluto sambhalomain chala Prithvi waapas pata nahi kyu par mujhe aisa
aabhas ho raha hai jaise mere apno ke saath kuch galat hua hai fir bina Nishkalika ki koi
baat sune Digvijay gayab ho gaya

Back to hero:

Anjali:- woww nanu yaha toh kafi bada mela laga hai

Ronit:- haan hum itne saare amusement parks gaye haifun world gaye hain par iss mele
ko dekh ek alag hi excitement feel ho rahi hai aaj 26 th May tha kal morning me hi maine
cake kaat liya tha dopehar ko hum teeno families ek luxury bus se jo ki dad ne subah hi
order kar ke kharid li thi Dhawalgarh ke liye nikal gaye the hum subah kareeb 3 baje nanu
ke ghar pahunche the nanu apne ghar ko dekhkar shocked ho gaye the baat darasal ye thi
ki nana nani ke Mumbai shift hone ke baad dad ne Mumbai ke best architecture ko hire
karke Dahawalgarh wale ghar ko renovate karne ka contract diya tha aur ab humare nanu
ka ghar kisi palace se kam nahi lag raha tha nanu dad ka khud ke liye pyar dekh kafi
emotional ho gaye the late sone ki wajah se aaj sabki neend kafi der se khuli (siwaye mere
power stone milne ke baad se hi mujhe neend bhuk pyaas aur aise hi koi bhi insaani sharir
ki zaroorat mehsoos nahi ho rahi thi ) hamare ghar se kuch door par hi chowk tha jahan
do bade bade speakers lage hue the aur usme lagatar Dhawali mahotsav ka advertisement
ho raha tha hum sabhi uss speaker me ho rahe advertisement ko sunkar kafi excited ho
gaye hum sab fatafat ready hue kyu ki ab lunch ka time ho gaya tha issliye hum sab ne
lunch kiya aur mele wali jagah par pahunch gaye

Dad:- main toh akash jhule par baithunga dad kisi bache ki tarah excited hokar bole

Nanu:- bilkul tu kya ham sab baithenge aur sirf akash jhule par hi nahi yaha jitni bhi rides
hain un sab me baithenge hum sab akash jhule ki taraf chal pade chaliye jab tak sab rides
enjoy kar rahe hain main aapko batata hun ki jab tak sabhi uth nahi gaye maine kya kiya
sab ke uthne tak main dhayan me baitha raha un kuch hi ghanton me maine pure
bramhaand me faile sabhi angels ko unhe aage kya kya karna haihar grah ka balance kaise
banaye rakhna hai uske nirdesh diye kuch waqt tak Gods messengers se bhi baat ki maine
Dhawali jheel ke rahasya ka sampurna gyan leni ki bhi koshish ki par jaise hi mera dimag
jheel ki satah tak jata mujhe wo spear dikhayi dene lagtajise mere pure sharir me ek dard
ki lakeer doud jati aur mera dhayan toot jata ek baat toh main samjh gaya tha ki uss spear
ki taakat mujhse kahi zyaada hai aur iska kaaran hai uske andar fase 1000 holy spirits jinki
puri shakti uss spear ne sokh li hai mujhe bina kisi tayari ke hi spear se bhidna tha ab jo
bhi hona tha wo raat ko hona tha

Wahi dusri taraf:

Avantika:- I am so proud of u dad finally aapne saare illigal kaam band kar diye ab hum
bhi ek respectable zindagi jiyenge Avantika bhi Dhawali mahotsav dekhne ke liye ghar aayi
hui thi wo aana toh nahi chahti thi par uski dadi ki aansuon ne usse majboor kar diyaghar
aane par jabse Avantika ke daadu guzre the tabse Avantika ne apne dad se aur maama se
baat nahi ko thi wo apne daadu ki mout ka zimmeddar dad aur maamaji ke galat kaamo
ko maanti thi par ghar pahunchte hi jab usse ye maaalum pada ki uske dad aur Mama ji
ne saare galat kaam band kar diye hain aur ab wo Mumbai me restuarant ki ek chain khol
rahe haintoh uske dil ke saare gile shikwe mit gaye aur wo apne dad se gale lag gayi

Naveen:- haan beta ye bolte waqt Naveen ke awaaz me ek dard tha jiska ehsas Avantika
ko ho gaya tha

Avantika:- kya hua dad kya aap khush nahi hai

Naveen:- aaj ek saal baad meri beti mere gale lagi hai main sad kaise ho sakta hun mujhe
bas iss baat ka afsos hai beta ki agar humne ye rasta pehle hi chun liya hota toh aaj dad
hamare saath hote Avantika bhi apne dadu ko yaad karke sad ho gayi par fir turant normal
hote hue boli

Avantika:- offo dad aap negative hi kyu sochte hain aap ye sochiye naa ki dadu jahan bhi
honge aapke iss faisle par garv kar rahe honge ab aap sad hona chhodiye aur hamare naye
resturants ko banane ka unke designs ke bare me sochiye main jaa rahi hun mela check
out karne aane ke baad mujhe sab infos chahiye

Naveen:- beta designs toh ready hai unmain se kaun sa final karna hai ye tu decide karna
aur rahi baat mela jane ki toh tu hi kyu hum sab chal rahe hain Riyansh Devansh sabko
awaaz de do mele ke liye nikalna hai Riyansh aur Devansh ki padhayi puri ho chuki thi aur
ye restaurants ka idea bhi inhi dono ka tha dono ne sabko bulaya aur puri Ahuja family
mele ke liye nikal gayi

Wahi dusri taraf:


Abbadon:- ye sab kya tha? pure brambhaand me jhatke wo bhi ek saath aisa toh aaj tak
nahi hua

Lilitha:- bramhand ko chhodo devil lord ke ijazat ke bina Monslickel me kaise jhatke lag
sakte hain aur yaha ka mousamye toh devil lord ke hissab se hi rehta hai par yaha bhi
achanak kuch palon ke liye garmi badh gayi thi

Abraxas:- kahi koi anhoni toh nahi ghat gayi aur sabse taajub ki baat ye hai ki itna sabkuch
hone ke baawjud devil lord ki koi khabar bhi nahi

Abbadon:- devil lord ke bare me hame sochne ki zaroorat nahi hai unse behter koi nahi
janta ki kab kya aur kaise karna hai unke loutne tak saari zimmedari hamari hai ye jo kuch
bhi ghata hai iska pata hume hi lagana hoga hum charo bramhand ke alag alag hisse me
bat kar iss raaz ka pata lagate hain par ye Valefor hai kahan

Abraxas:- wo toh apne hi gum me duba hua hai

Abbadon:- ye insaani kamiya hum devil's me kab se aa gayi usse jaakar keh do ki jo hua
usse bhul jaye aur abhi ki samasya pe gour kare warna uske dusre bete ke ka bhi wahi
anjam hoga jo uske pehle bete ka hua tha bewakuf ne devil's ki naak kata di jo ek
manushya ke aage na tik paya teeno devil's ne apne haath aage kiye teeno ke saamne
world doors khul gaye teeno uske andar ghus alag alag grah me chale gaye

Back to hero :

excuse me awaaz sun jaise hi hum palte mere family aur friends ko shock laga kyu ki
hamare saamne puri Ahuja family khadi thi par shock hone ka main reason ye nahi tha iss
waqt puri Ahuja family ne hamare saamne haath jod rakhe the ab ye sab yun achanak
kaise hua jaanne ke liye chaliye 5 Minute peeche chalte hain

Naveen:- kya hua beta? tera chehra achanak murjha kyu gaya Ahuja's abhi abhi mele me
pahunche the pure raaste Avantika ka chehra khila hua tha par jaise hi sab mele ke andar
ghuse kisi ko dekh Avantika udas ho gayi

Avantika:- nahi dad main kaha sad hun Naveen jaan gaye ki unki beti unse jhoot bol rahi
hai unhone saamne dekha toh maajra samjh gaye meri family saamne food stall ke paas
khadi thi

Naveen:- beta teri udasi ki wajah main jaan gaya par udas hone se kya hoga hum sabko
unse maafi maangni chahiye aur fir aaye Ahuja's family hamare paas akar haath jod kar
khade ho gaye abhi hum me se koi kuch kehta usse pehle hi Avantika ki Dadi ji bol uthi
A/Dadi ji:- bhai sahab mere bachon ne aapke pariwar ke saath jo bhi kiya hum sab uske
liye dil se aapse maafi mangte hain

Naveen:- janta hun ki jo bhi humne kiya hai wo maafi ke kabil nahi hai agar aap hume saza
bhi dena chahe hum uske liye bhi tayar hain

Nana ji:- aapko apni galti ka ehsas hua itna hi kafi hai jitne bade the sab apne gile shikwe
mitane me lage rahe wahi Riyansh Devansh Avantika aur Shanaya hum teeno ke maafi
maange hamare paas aaye

Main:- its ok tum me se kisiko bhi sorry kehne ki zaroorat nahi hai we are over it isse pehle
ki un charon me se koi bhi kuch kehta maine aage ke lines bol di

Avantika:- congrats firse India top karne ke liye

Main:- thanks & congrats to u too tumhari bhi kafi achi rank aayi hai

Dad:- bacho lets go abhi hum aur kuch baat karte usse pehle hi dad ne hume awaaz dekar
bula liya humne ek dusre ko bye kaha aur apne apne raste nikal gaye

Heaven me:

St Cecilia:- in dono ki kahani bhi ajeeb hai naa

St Sebastian:- abhi aur ajeeb hona baaki hai waise ek aur ajeeb baat hui hai jispe aapne
gour nahi kiya aur jab tak maine kiyader ho chuki thi

St Cecilia:- kaisi ajeeb baat aapne gufa ko baandhne ke samay gufa ke andar jaakar ek baar
bhi nahi dekha haina

St Sebastian:- nahi kyu kya hua? St Cecillia ne apna right hand saamne ki taraf ghuma diya
saamne hawa me gufa ke andar ka scene dikhne laga jise dekhkar St Sebatian ka dimag
ghum gaya

St Sebastian:- yeye kaise ho gaya saare diamonds me ye kaalapanye toh black energy ki
nishani hai par ye kaise ho sakta hai ye diamonds toh

St Cecilia:- aap bhul rahi hain ki ye diamonds kaha se aayi hain ussi cheez ki wajah se in
diamonds ne bhi black energy ko apna liya hai

St Cecilia:- par aise me toh

St Sebastian:- ab hum kuch nahi kar sakte ab hume har parinam ke liye tayar hona hoga
Dhawali jheel scene:- 1

Guru dev aap saamne aa sakte hain ek safed dhuen ke gubaar ke beech Baba Vishakht
prakat hue aur mere saamne jhuk gaye raat ke thek 12 baj rahe the iss waqt main apne
ghar ke bahar khada tha

Main:- aisa mat kariye mere sar hi hamesha se aapke aage jhukta aaya hai aur aage bhi
jhukega ye bol maine Guru dev ke aage apna sar jhuka liya

Baba Vishakht:- aisa karke mujhe paap ka bhagidar mat banaiye

Main:- aap mere Guru hain isse koi fark nahi padta ki main aaj kis jagah par hun main apni
shuruat toh nahi bhul sakta naa Ronit ko sahi salamat hospital pahunchakar waise bhi
aapne mujhpar ek aur ehsaan kiya hai ji haan doston Ronit ko uss godown se hospital me
Baba Vishakht hi lekar aaye the unhone Vikram ki puri ladhai adrishya hokar apni aankhon
se dekhi thi jaise hi Alesendra Vikram ko lekar gayi thek ussi waqt Baba Vishakht prakat
hue aur Ronit ko lekar hospital chale gaye

Baba Vishakht:- yeh toh mera farz tha aur aaj aapko Lord of Angel bane dekh mujhe itni
khushi ho rahi hai jo main bata nahi sakta

Main:- aapke diye training ke bina ye sambhav nahi hota aur main aapse St Sebastian ki
taraf se bhi maafi maangta hun main janta hun ki jis waqt mujhe meri power stone mili
aap mujhse milna chahte the par St Sebastian ne aapko rok diya tha haina

Baba Vishakht:- jee

Main:- uss waqt mere sharir me white energy ka prabhav itna zyada thaki koi bhi
manushya chaahe wo kitna hi takatwar kyu na ho wo uss energy ko bardasht nahi kar
paata

Baba Vishakht:- mera ek aur prashn hai

Main:- yahi na ki ab toh aapke saare kaam pure hue toh fir aapka jeevan chakra samapt
kyu nahi hua hai woh isliye kyu ki abhi aapka ek antim kaam shesh hai aapko ek aur baar
meri madad karni padegi

Baba Vishakht:- ye toh mera soubhagya hoga fir maine Guru ji ko bataya ki unhe kya karna
hai maine apna haath apne dil par rakha aur fir saamne kar diya mere haathon se nikli
roshni ke beech koi prakat hua
Main:- ab mujhe aagya dijiye main Guru dev se vida lekar gayab ho gaya aur pahuncha
thek jheel ke beecho beech mere charo taraf sirf kaali reth thi

Main:- pustak prakatam aur agle hi pal mere haath me enchantment book thi maine use
khola aaj usme kuch drawing si bani hui thi ye ek kism ki paheli thi ya yun kahu ek raasta
tha jise main iss mitti ke andar jaa sakta tha iss drawing me kai saari lines thi jo ek dusre
se connected thi lines har kone se ghum rahi thi ye kone aur kuch nahi jheel ke kinare the
saikdon lines jo ek dusre se gutham gutha the maine kabhi nahi socha tha ki flosanto
dwara diya gaya vardaan mere itne bade chakrvyuh ko todne me kaam aayega drishti
spashtam (clear vision) main har mantra ko bas soch kar istemaal me laa sakta tha par
kuch khaas bade mantra mujhe bolne padte the mere mantra bolte hi wo lines mujhe
gehri alag alag aur saaf saaf dikhne lagi har line kisi dusre line se judi hui thi par har line
me ek baat common thi wo ye ki un saari lines ke ek ek starting point me ek bohat hi
baarik sa arrow tha jo ek hi disha me point kar raha tha jis disha me har arrow point kar
raha tha waha pe ek bohat hi halka sa off white dhabba ubhra hua tha kyu ki ye sab ek
book ke panne me tha aur panne safed hote hain issliye normal aankhon ke liye wo
dhabba dikhna naa mumkin tha

Main:- moksayati (puzzle solved) jaise hi mujhe wo off white dhabba dikha maine apni ek
ungli uske upar rakh ye mantra kaha aur agle hi pal pura manzar badal gaya jis jagah main
khada tha wo jagah do hisso me bat gayi aur main uss kaali ret ke andar sama gaya ye sab
ek second se bhi kam samay me hua tha mere andar jaate hi wo jagah wapas pehli jaisi
ho gayi thi ab main ek alag hi duniya me tha iss jagah har taraf roshni hi roshni thi par koi
suraj nahi tha thand thi par hawa nahi thi door door tak jahan tak nazar jaye bas ek anthin
raasta sa dikh raha tha kuch der tak main wahi khada apne aap ko aage aane wale
surprises ke liye tayar karta raha fir ek lambi saans chhod main aage badha main uss raaste
par paidal hi aage badhne laga na main udana hi antardhayan huakyu ki main janta tha ki
ye jagah spear ka banaya hua chakravyuh hai agar main yaha kisi bhi tarah ka jaadu karta
toh spear uss magic ko sokh leti jaise jaise main aage badh raha tha mere piche ka raasta
andhere me dubta chale jaa raha tha par main iss anokhi mayajaal ko dekhkar bhi bilkul
ghabraya nahiaur dheere dheere aage badhta gaya mujhe kuch hi der hui thi chalte hue
ki mere peeche ka andhera aage badhta hua mujhse aage nikal gaya aur ab mere charo
taraf sirf andhera hi andhera tha ki tabhi

Main:- oh teri gazab meri mouh se ye shabd iss naye parivartan ki wajah se aaye the mere
charo taraf fir se ujala ho gaya par ab main kisi raaste par nahi balki kisi bohat hi bade
indoor stadium jaisi jagah par tha mujhse kuch hi door uss staduim jaisi jagah ke thek
beecho beech ek aadmi ek white chair par baitha tha main chalte hue uske paas pahuncha
uska chehra dusri taraf tha

Aadmi:- welcome Mr Vikram Jairaj Singh ye bolte hue wo aadmi palat gaya mere saamne
ek 40 ke aas paas ka dikhne wala aadmi khada tha bande ne three piece suit pehna hua
tha

Aadmi:- not bad tum mujhe dekhkar bilkul bhi nahi ghabraye naa hi surprised hue

Main:- mere dimag ki upaj ho tum fir tumse kaisa ghabrana darasal wo aadmi waisa hi tha
jis tarah ke aadmi se maine yaha milne ki umid ki thi jis jagah main tha iss jagah ki ek
khasiyat ye bhi thi ki ye aapki imagination ko haqiqat ka roop de sakti thi meri baat sun
wo aadmi ek pal ke liye shock hua par fir muskurate hue bola

Aadmi:- waah maanna padega kabiliyat hai tumme par itni bhi nahi ki apne maksad me
kamiyab ho sako ab bhi waqt hai wapas lout jao warna spear tumhe bhi holy spirits ki
tarah humesha ke liye kaid kar legi

Main:- ek baat toh hai duniya asli ho ya mayavi chutiye sabhi jagah mil jaate hain par bhai
mere paas teri ye chutiyape se bhari dhamkiyan sunne ka waqt nahi hai spear tak
pahunchne ke liye karna kya hoga ye bata

Aadmi:- hmm akad haan chalo maza aayega isse todne me tumhe ye toh pata chal gaya
ki mera roop tumhari dimagi upaj se bana hai par tum ye nahi jante ki main koun hun
main spear dwara niyukt kiya gaya pehla Rakshak hun aage jane ke liye tumhe mujhe
harana hoga toh tayar ho jao

Main:- mujhe tumhe kis cheez me harana hoga

Rakshak:- fight me jitni bhi yudh shaili tumhe aati hai unhe yaad kar lo aur ek baat yudh
ke beech main magic kar sakta hun par tum nahi par fikr mat karna mere magic samanya
star ke honge toh shuru kare

Main:- bilkul wo Rakshak dheere dheere mujhse 5 feet door aakar khada ho gaya maine
bhi ek fighting stance le liya aaj mujhe pata chala ki mujhe Guru ji ne training kyu dilwai
thi aur sahi maayno me uss training ka final test aaj tha Rakshak ne apni jagah se meri
taraf hawa me chalang lagai aur apna right pair mere chehre ki taraf ghuma diya aahhh
meri cheekh uske right leg ke mere chehre par padne ki wajah se nahi nikli thi uske right
leg ke ghumte hi main bhi neeche jhuk chuka tha par ye ek double attack tha jaise hi uska
right leg mujhe cross hua usne hawa me hi apna left leg jo ki thoda neeche tha usse ek
jhatka diya uska left foot mere right gaal pe pada mere mouh se aah nikal gayi aur main
neeche gir gaya par main turant uth kar khada ho gaya Rakshak ne apna left haath zamin
par jama kar mere seene ki taraf apne pair chala diye dhammm aahh ye awaaz meri nahi
Rakshak ki aayi thi iss baar mera pura dhayan uske pairon ke taraf hi tha uske kick maarte
hi main ek side khisak gaya aur uske pair ko pakad usse ghuma ke patak diya itne zordaar
waar ke baad bhi Rakshak turant khada ho gaya aur meri taraf tezi se badhkar apne
haathon aur laaton se alag alag angles banakar mujhpe vaar karne laga par main uske har
daav ko lagatar block karta chala gaya wo mujhse thodi door khada ho gaya usse kuch der
me hi samjh aa gaya ki mujhe aise nahi haraya jaa sakta Rakshak ne apne haath aage kiye
uske haathon me se ek naan chaaku aa gaya Rakshak usse ghumate hue mere paas aane
laga uske haathon ki raftar bohat zyada thi naan chaaku theek se nazar bhi nahi aa raha
tha mujhe uske naan chaku mere upar ghumane se pehle hi kuch karna tha main tezi se
aage badha main pehle uske right side gaya usne naan chaku mere sar ka nishana lekar
ek jhatka diya par main turant apni jagah badal uske left side par aa gaya jab tak wo mere
daav ko samjhta mera ek mukka uske left gaal par aur dusra uski pasliyon par pad chuka
tha Rakshak dard se dohrate hue ek taraf jhukta chala gaya main apni jagah khade hokar
uske uthne ka intezar ka intezar karne laga kuch waqt laga Rakshak lambi lambi saansein
lete hue khada ho gaya Rakshak kuch pal tak meri aankhon me dekhta raha fir meri hi
tarah usne bhi ek fighting stance le liya aur apni ek ungli se mujhe apne taraf aane ka
ishara kiya main tezi se uski taraf badha par ye kya dhoom dhaak mujhe uski magic wali
baat yaad nahi thi jaise hi main uske paas pahuncha wo gayab hokar thek mere peeche
pahunch gaya aur mere peeth par ek mukka jad diya mere palate he hi wo fir gayab ho
mere left side side pahuncha aur mere left shoulder par ek punch jad diya yahi kaam usne
mere right shoulder ke saath bhi kiya Mike Tyson ne ek baar kaha tha ki every boxer hans
a plantill he recieves a punch mujhe aaj iss baat ka matlab pata chala itne saare punches
ne mere dimag aur confidence dono ko hila diya tha mere right shoulder pe uske punch
padne ke baad main hawa me upar legs full strech karke ek spin liya par Rakshak alert tha
wo turant jhuk gaya aur jaise hi mere ek pair ne uske sar ko cross kiya usne mere pet par
ek punch jad diya mere mouh se ek dard bhari aah nikal gayi aur main udta hua peeche
gir gaya

Rakshak:- nikal gayi akad ab bhi mouka hai nikal jaa mujhe toh saale ki baat thek se sunayi
hi nahi di main toh mere dono haath aur pet ke dard ko control karne me laga hua tha
main latte patte khada hua
Main:- (mann main) saala ye aise toh haarne se raha gayab ho hokar ye mere har daav
har pucnh har kick ko dodge de dega kehte hai defense iss the best attack maine bhi yahi
daav apnane ki sochi maine apna ek pair aage aur ek pair peeche karke stance liya aur ussi
ki tarah ek ungli se usse apni taraf aane ka ishara kiya par ek baat alag thi meri aankhen
band thi lagatar mujhe kuch punches maarkar wo thoda over confident ho gaya tha usne
ek lambi front flip maari aur thek mere saamne aakar gayab ho gaya wo ye bhul gaya tha
ki magic karne ka positive ke saath saath ek negetive effect bhi hai aankh band hone ki
wajah se main uske body ko dekh nahi raha tha balki uske magic karke gayab hone ki
wajah se nikli urja ko mehsoos kar raha tha mujhe pata chal gaya ki Rakshak gayab hokar
mere peeche pohonch gaya hai aur usne mere back head ki taraf ek punch bhi ghuma diya
hai main turant ek side ho gaya aur uske haath ko pakad liya aur jab tak wo kuch samjhta
maine uske elbow joints ko ek jhatka diya uska wo haath sunn pad gaya par main nahi
ruka main turant uske peeche pahunch gaya aur peeche se uske dono knee points par
apne knee se ek ek jhatka diya uske pair sunn pad gaye aur jaise hi Rakshak apne ghutno
par aaya maine peeche hi uske shoulders ke pressure points ko daba diya shoulder ke
pressure points se do khaas nas nikalte hain ek brain me jata hai aur dusra heart me mere
pressure points ko dabate hi uski body ek taraf jhukti chali gayi uski upar ki body ko lakwa
sa maar gaya uska concentration toot chuka tha jiski wajah se uska magic khatam ho gaya
aur wo nazar aane laga maine peeche se uski gardan me apne ek haath se fanda banaya
aur dusre haath se uske sar ko ghuma diya kadakkk Rakshak ki gardan tutthe hi do cheeze
huin

1st:- bina koi awaaz kiye Rakshak mar chuka tha

2nd:- Rakshak ke marte hi uski body hawa me uth gayi uski body ke upar ek tez roshni hui
aur jab wo roshni ghati toh uski body ki jagah hawa me ek badi si key thi

Key:- badhai ho Vikram aaj tumhari wajah se main spear ki gulami se aazad hua hun aao
iss chaabi ko grahan kar aage badho ye awaaz uss Rakshak ki hi thi main aage badha aur
jaise hi maine uss key ko chua wo chair jispe Rakshak baitha hua tha uski jagah ek badi si
sandook aa gayi jispe taala laga hua tha

Key:- aage badho Vikram aage ka raasta iss sanduk me se hi hai main aage badha aur
maine uss key se uss sandook ka taala khol diya maine jaise hi uss sandook ko khola uss
sandook ke andar se ek roshni nikli aur mujh par padhi aur agle hi pal main khud ek roshni
me badal kar uss sandook ke andar chala gaya wo sandook mujhe roshni me badal ek nayi
duniya me le gayi dheere dheere wo roshni neeche ki taraf utarne lagi jaise jaise wo roshni
neeche utarne lagi main wapas apne asli roop me aane laga

Main:- oye teri saamne ka nazara dekhte hi main samjh gaya ki ye safar aur bhi mushkil
hone wala hai

Minu:- arre ye Vicky kaha hai? subah ke 8 baj rahe the ghar ke sabhi log fresh ho chuke
the par Vikram ko naa dekh jab Minu uske kamre me gayi toh room ka door khula tha aur
andar koi bhi nahi tha

Jairaj:- arre kahi ghumne nikal gaya hoga

Ronit Anjali:- (mann main) God please Vj ki help karna usse apne maksad me kamiyab kar
sahi salamat hamare paas bhej dena kal raat Vikram jane se pehle Ronit aur Anjali ko bata
kar gaya tha

Ronit:- yaar abhi ke liye toh thek hai par agar Vikram jaldi nahi louta toh ghar wale
pareshan ho jayenge saale ko bola bhi ki kisi aur din chutti ke bahane yaha aa jayenge par
nahi usse toh kal hi jana tha uss jagah par

Jairaj:- Guru ji aap abhi Anjali kuch kehti usse pehle hi Jairaj ki awaaz sun Anjali aur Ronit
ke saath saath sabka dhayan saamne ki taraf gaya Jairaj ke saamne Baba Vishakht khade
the Jairaj ne turant Baba Vishakht ke pair chu liye apne saamne Baba Vishakht ko dekh
Minu bhi doudkar aayi aur Baba ke pair chu liye

Baba Vishakht:- cheeran jeevi bhava soubhagyavati bhava Minu aur Jairaj ka reaction aur
ek anjaan shaksh ko dekh sabhi unke paas aa gaye

Jairaj:- papa yahi wo Guru ji hain jinho ne hamare bete ka naam karan kiya tha Jairaj ki
baat sun Vikram ke nana aur nani ne bhi Baba se aashirwaad liye aur unke baad pure
pariwar ne

Baba Vishakht:- aaj nahi puchoge ki main achanak kaise yaha aa gaya

Jairaj:- nahi Guru ji itna toh main bhi samjh gaya hun ki aapse kuch bhi nahi chhupta aur
aapke aane ka hamesha hi koi khaas kaaran hota hai

Baba Vishakht:- haan hai toh par uss kaaran ko batane se pehle meri aap sabse ek nivedan
hai

Jairaj:- aisa mat boliye Guru ji aap bas aadesh den


Baba Vishakht:- usse pehle main aapse kisi ki bhet karana chahta hun ye bol Baba Vishakht
ne peeche palatkar awaaz di unke awaaz dete hi chaar log andar aaye

Ronit/Anjali:- tuuu teen logon ko dekhkar toh sabhi normal rahe par chouthe ko dekhkar
Anjali aur Ronit shocked ho gaye kyu ki wo choutha aur koi nahi Vikram tha

Mom:- arre tum log itne zyada shocked kyu ho gaye aur tu kaha gaya tha subah se

Main:- main toh yunhi bahar tehalne gaya tha mom aate waqt Guru dev ke saath in teeno
ko dekha toh yaha le aaya waise ye hain Akshaant Mokalsar aur ye hain Shaila ye teeno
mere dost hain

Dad:- tere dost par pehle toh tune kabhi inka zikr nahi kiya aur Guru ji Vicky ke dost aapke
saath kaise

Main:- main batata hun in teeno se meri mulakat Shimla me IBI competition ke waqt hui
thi yaha aane se pehle maine inhe bataya tha ki main Dhawali mohotsav dekhne jaa raha
hun inhone bhi aane ki zid ki toh maine inhe yaha bula liya simple (jhoot)

Baba Vishakht:- ittefaq se ye teeno mere bhi shishya hain main aap sab se milna aa raha
tha toh inhone bataya ki ye bhi yahi aa rahe hain toh main inke saath hi chala aaya (jhoot)

Jairaj:- ohh acha

Minu:- beta aap log itna lamba safar tay karke aa rahe ho thak gaye hoge aap sab rooms
me chalkar fresh ho jao main nashta bhijwaati hun maami teeno ko lekar unke rooms
dikhane chali gayi aur unhe fresh hone ka bol wapas bahar aa gayi

Baba Vishakht:- ab main apne aane ka kaaran batata hun mujhe aap sab ke sar ka ek ek
baal chahiye Guru ji ki baat sun sabhi chonk gaye ab Guru ji ne baat hi aisi kahi thi sab iss
ajeeb si maang ke peeche ka kaaran jaanna chahte the par sabhi ko Guru ji ki baat yaad
thi ki koi bhi unse iss vishay me koi sawal na kare sabhi ne apne sar ka ek ek baal nikal kar
Guru ji ko de diya Guru ji ne apne potle se ek saaf safed kapda nikala aur sab ke baal ko
usme rakh kar kapde ko bandh diya aur wapas apne potle me daal diya unhone iss baat
ka khaas khayal rakha ki wo un baalon ko directly na chu len

Baba Vishakht:- dhanyawaad ab main chalta hun

Mom:- Guru ji nashta toh kar lijiye

Baba Vishakht:- fir kabhi putri abhi mujhe kuch kaam hai Guru ji ne sabko aashirwaad diya
aur nikal gaye
Main:- chalo room me chalte hain Guru ji ke nikalne ke baad maine Ronit aur Anjali se
kaha

Mom:- pehle nashta kar le

Main:- nahi mom bhuk nahi hai main baad me kha lunga main Ronit aur Anjali ke saath
mere room me chala gaya

In room:

Anjali:- thank God ki tu wapas aa gaya

Ronit:- haan yaar hum toh dar rahe the ki agar tujhe zyada waqt lag gaya toh gharwale
toh pareshan ho jayenge

Main:- main Vikram nahi hun

Ronit:- aur main bhi Ronit nahi Amitabh bachchan hun

Main:- main mazak nahi kar raha main Vikram ka sirf ek clone hun Vikram ab bhi Dhawali
jheel ke rahasyamayi duniya me hi hai unhone mujhe yaha bheja hai taaki yaha koi
pareshan na ho clone ki baat sun Anjali aur Ronit ko jhatka laga

Anjali:- whattt Vikram thek toh hai naa

V clone:- ab tak toh thek hain

Anjali:- matlab

V clone:- agar unhe kuch ho jata toh main bhi gayab ho jata mera astitva toh unhi se hai
abhi tak main theek hun iska matlab wo bhi thek hain ab ye Vikram toh tha nahi Ronit aur
Anjali iske saath kya karte dono bahar chale gaye ab aap ye soch rahe honge ki Akshaant
Shaila aur Mokalsar achanak yaha kya kar rahe hain aur ye baal ka kya chakkar hai baal ke
bare me toh baad me pata chalega par in teeno ke bare me janene ke liye chaliye kuch
ghante peeche chalte hain

A small flashback of last night:

namaskar Guru dev

Baba Vishakht:- ayushmaan bhava bachho maine tumhe ek aur zimmedari dene ke liye
yaha bulaya hai iss waqt raat ke do baj rahe the Vikram se milne ke baad Baba Vishakht
nanu ke ghar ke peeche se jo jungle nikalta hai ussi ke andar chale gaye the Baba Vishakht
ne kuch naamo ka awaha kar kuch mantra padha aur apna haath saamne ki taraf kar diya
Baba Vishakht ke thek saamne ek world door khul gaya aur uske andar se teen log bahar
nikle ye aur koi nahi Akshaant Shaila aur Mokalsar the

Akshaant:- ye hamare liye soubhagya ki baat hogi Guru dev

Baba Vishakht:- usse pehle main tumhe Vikram ke bare me kuch batana chahta hun

Shaila:- Vikram kya hua Guru dev Vikram thek toh hai naa jaisa ki maine pehle hi bataya
tha ki training ke waqt Shaila aur Vikram kafi ache dost ban gaye the issliye yun achanak
Guru dev dwara Vikram ka naam sun Shaila Vikram ke liye thodi pareshan ho gayi

Baba Vishakht:- chinta mat karo putri Vikram sahi salamat hai par

Akshaant:- par kya Guru dev? usse pehle main tum teeno ko kuch batana chahta hun tum
teeno hamesha se ye jaanna chahte the naa ki Vikram me aisa kya khaas hai jo maine tum
teeno dwara usse itna kathin prashikshan itne kam waqt me karwayi

Teeno:- jee Baba Vishakht ne teeno ko Vikram ki sachhai batayi jab teeno ko ye pata chala
ki Vikram Lord of Angel hai toh unke mouh khule ke khule reh gaye

Akshaant:- Guru dev aapne hum teeno par bohat bada upkar kiya hai

Shaila:- jee haan Guru dev aapne na sirf hame Lord of Angel se milwaya balki unki shuruati
shiksha me humse yogdaan bhi karwaya

Mokalsar:- humse khushnaseeb iss bramhaand me shayad hi koi hoga waise wo abhi kaha
hain? kya hum ek baar unse mil sakte hain

Baba Vishakht:- Vikram abhi tak ke apni zindagi ki sabse mushkil chunouti ka saamna
karne gaya hai Baba Vishakht ki baat sun teeno chonke par fir normal ho gaye

Shaila:- Lord of Angel ke liye koi bhi chunouti badi kaise ho sakti hai

Baba vishakt:- ye tum issliye bol rahi ho kyu ki abhi tumhe ye nahi pata ki Vikram kaha
gaya hai?

Mokalsar:- aisi kaun si chunouti hai jo Vikram ke liye bhi mushkil hai

Baba Vishakht:- Dhawali jheel ki chunouti Dhawali jheel ka naam sunkar teeno buri tarah
se chonke aur ek anjana dar unke chehre par dikhne laga

Akshaant:- Guru dev kahi aap uss jheel ke bare me toh baat nahi kar rahe jiski utpatti
Prithvi ek saath hi hui thi jiske kisse bramhaand ke har grah me mashoor hai jahan devil
ke spear ne bramhaand ka santulan banaye rakhne wale 1000 maha shaktishaali holy
spirits ko kaid kar rakha hai

Baba Vishakht:- haan putra main ussi jheel ke bare me baat kar raha hun aur maine tumhe
yaha Vikram ke hi kehne par uska saath dene ke liye bulaya hai tum teeno ko bhi iss
chunouti ka hissa banana padega

Shaila:- kya hame bhi Dhawali jheel me jana hoga?

Baba Vishakht:- waha Vikram ke alawa aur koi nahi jaa sakta tumhe yahi rehkar Vikram ki
madad karni hogi

Akshaant:- bhale jaise bhi ho ye hum teeno ka soubhagya hoga ki hum Lord of Angels ke
kuch kaam aa payen fir Baba Vishakht ne teeno ko samjhaya ki unhe kya karna hai aur
subah hote hi Baba Vishakht un teeno aur Vikram ke clone ko lekar Vikram ke ghar chale
gaye aur uske baad kya hua ye toh aap sab jaan hi chuke hain

Back to hero:

Main:- ab saala ye kya panga hai aur ye spear mere saamne sidhe kyu nahi aata kaisi kaisi
jagah dikha raha hai mujhe main iss waqt ek bohat hi sankare raaste ke starting point me
khada tha raasta patla nahi tha balki mere aage dono taraf ek lohe ki diwal bani hui thi
dono diwal ke beech bas itni hi jagah thi ki sirf ek banda hi ek baar me guzar sakta tha uss
diwal me ek ek feet ke faasle me kuch gol sa loha ubhra hua tha par ek ajeeb baat aur thi
raasta utna hi lamba tha jitni ki diwal badi thi aur jahan par diwal khatam ho rahi thi waha
aag jal rahi thi diwal aur aag ke beech kuch ek feet ka faasla tha aag ke aage kuch bhi nahi
dikh raha tha

Main:- (mann main) yaha toh koi Rakshak bhi nahi dikh raha bas ek raasta hai aur uske
aage aag najane uske aage kya hoga par bina in sab ko paar kiye main aage bhi toh nahi
jaa sakta maine apna ek pair aage badhaya hi tha ki achanak main ruk gaya

Main:- rukawat sirf diwal ke aakhir ki ye aag nahi ho sakti warna ye diwal ki yaha zaroorat
hi kya thi zaroor isme bhi kuch locha hai soobhh tannn

Main:- shittt ab saala isse kaise paar karun hua ye ki kuch sochkar maine apna ek haath
aage badhaya ki tabhi mere haath ke thek left aur right side wale hisse me jo gol ubhra
hua bhaag tha usse do tez nukile bhaale nikle aur mere haath ki taraf soobhh ki awaaz ke
saath badhe mujhe aise hi kisi khatre ka andesha thaissliye maine turant apna haath
khinch liya tann ki awaaz ke saath wo dono bhaale ek dusre se takraaye aur toot gaye par
ek gadbad ho gayi aisa lagta hai wo saare ubhre hue lohe ek dusre se connected the yaha
wo dono bhaale takrakar toote waha uss diwal ke jitne bhi ubhre hue hisse the sabse
bhaale bahar aakar tezi se nikal band hone lage

Main:- ab kya karun tezi se bhaagun aaj mujhe mera matibhram maidan wali chunouti
yaad aa rahi thi wo chunouti aur iss chunouti me waise toh bohat fark tha par iss waqt
mujhe isme aur usme bas do hi fark dikh rahe the uss maidan ko cross karne ke liye mere
paas kafi jagah thi aur yaha toh aage badhne ke liye bas jo do toot chuki bhaale wali jagah
thi utni hi jagah thi raftraar pakadne ke liye aur dusri mati bhram maidan me fail hone se
aur mouke milte the par ye koi training toh thi nahi asli zindagi thi yaha par halki si bhi
chuk ka matlab hai dardnaak mout par aage toh badhna hi tha maine apne chit ko shaant
kiya aur saamne dhayan se dekhne laga saare bhaale ek ke baad ek line se nikal rahe the
timing bhi itni kam thi saare bhalon ke upar se doudte hue bhi nahi nikal sakta tha ek
bhaale pe chadh kar mujhe halka sa rukna padta par jab tak dusre par koodne ki baari aati
mere khade hue bhaale andar jaa chuke hote

Main:- arre yaarmain bhi nabewakuf hun ek ek karke paar karne ki zaroorat hi kya hai
main ab tak doud kar un bhaalon ko cross karne ke bare me soch raha thajabki main ek
jump me koodkar bhi unhe cross kar sakta tha halaki isme bohat risk thakyu ki ye diwaal
kuch 30 feet lambi thi aisa nahi tha ki main itne door kood nahi sakta thapar uske liye
mujhe bhi kuch distance ki zaroorat thi taaki main doud kar raftaar pakad sakun ya fir
kuch magic karun jo filhal sambhav nahi tha par risk toh lena hi tha maine jo bhaale ek
dusre se takrakar toot gaye theunhe sahare ke liye pakda zameen par pair dhasaye taaki
kudne ke waqt kuch grip mile lambi saans li au apne pure sharir ko halka kar jump laga di
kuch 20 20 bhaale dono taraf se line se nikal band ho rahe the main unke upar se nikalte
jaa raha tha aur unhe ginte jaa raha tha

Main:- 2019181716 5432 oh shit last second bhaalon tak pahunchte pahunchte main
neeche aane laga par abhi bhi last line ke do bhaale bache the agar main sidha unke aage
girta toh swarg sidhar jata maine apne pair mod kar apne dono haathon se pakad liye
maine apne aap ko halka kar rakha tha par neeche aate waqt maine apna wazan do guna
kar liya aur khaaddd issi awaaz ke saath main last ke dono side ke bhaalon ke thek upar
gira dono bhaale toot gaye

Main:- hasshh bach gaya maine peeche dekha toh chonk gaya wo mayavi diwal gayab ho
chuki thi par abhi ek aur musibat bachi thi aur mere theek saamne thi aag ki diwal
Main:- saala life me pehli baar meri saans ful rahi hai iss duniya me aate hi mujhe bhi
insaani kamzoriyan ka ehsaas hone laga tha main zyada nahi thaka tha par kuch kuch
thakawat mujhe hone lagi thi

Main:- kahi ye aag bhi mayavi toh nahi hai par iski garmahat toh main feel kar sakta hun
chu kar dekhta hun maine apni ungli halki si uss aag me daal kar nikal li

Main:- saali garam hai ab kya karun pehle ye thakawat kuch kam hofir sochta hun maine
kuch der ke liye iss tension ke bare me nahi socha aur apni saanson ko control karne laga
kuch hi palon me main back to normal tha par ek ajeeb baat hui maine check karne ke liye
haath aage kiya toh shocked reh gayapar fir kuch aisa hua ki turant hi mujhe apna haath
peeche khinchna pada hua ye ki kuch der jab maine uss aag ke bare me sochna band kiya
toh mujhe aag ki garmi bhi mehsoos hona band ho gayi cheak karne ke liye ki maajra kya
hai maine ek aur baar uss aag me ungliu rakhi par iss baar wo aag thandi thi par kuch hi
palon me uski garmi wapas aane lagi issliye mujhe apna haath peeche khichna pada

Main:- ab ye kya ba****di hai

Main:- ohh toh aisa hai main kuch der tak jo bhi abhi hua tha uske bare me apne dimag
ke ghode doudata raha aur achanak mere dimag ki batti jali main muskuarate hue thodi
der tak khada raha aur fir araam se chalta hua uss aag ko cross kar gaya

Main:- shh kitni thand hai yaar aag ko cross karte waqt maine kaha chakra gaye naaki ye
kya hua aur kaise hua chaliye aapko batata hun darasal mere saamne jo aag ki diwal thi
wo bhi mayavi thi aur uske maya ko todne ka tarika tha uss aag ko apne dimag me avoid
karna matlab wo aag tab tak hi garam thi jab tak mera dimag ye maane ki wo aag garam
hai maine apne dimag ko ye kehkar convince kiya ki ye diwal thandi hai issliye jab main
uss aag ke andar se hokar guzratoh na main jalanahi mujhe garmahat mehsoos hui balki
mujhe thand lagi aur main aaram se uss aag ki diwal ko cross kar gaya

Main:- ab ye kya hai aag ke maya jaal ko paar kar main iss waqt ek naye adbhudh maya
jaal me khada tha iss waqt main neele akash se upar bramhand ke kaale saamrajya me
jahan roshni bhi nahi pahunch sakti waha khada tha is andheri chaadar ke beech halki
halki roshni ko pakde mere charo taraf mujhse kai light years door sitaregrahaur saari
celestial bodies dikh rahi thi ek tarah se kahu toh main kisi galaxy ke beech Aakash me
khada tha itne bade bhram ki rachna karna isse hi pata chal jata hai ki wo spear kitni
takatwar hai
Main:- adbhudh maaya jaal fir bhi tum ladhne aa gaye awaaz sun main chonk gaya maine
awaaz ki disha me dekha par waha koi nahi tha

Awaaz:- tum bhool rahe ho Vikram ki pehle Rakshak ki tarah mera roop bhi tum hi
nirdharit karoge

Main:- oh maine kuch socha aur agle hi pal mujhse thodi hi door ek saaya prakat hone
laga aur dheere dheere uss saaye ne meri hi tarah insaani roop le liya par roop lene ke
saath saath mujhe bhi ek naya jhatka de diya

Rakshak:- kya huamera roop pasand nahi aaya saala pasand ki baat karta haiuske roop ko
dekhkar toh ek second ke liye meri fat gayi thi kyu ki maine jo roop socha thais Rakshak
ka roop uska poora ulta tha maine apne diimag me ek patle duble ladke ki taswir banayi
thi par mere saamne khada Rakshak uss taswir ke bilkul ulat tha iss Rakshak ki hieght 8
feet se zyada thi choudai mujhse double aur saale ne roop lene me itne me hi bas nahi
kiya thais Rakshak ke dono taraf do do haath the jisme usne alag alag shashtra pakda hua
tha aur saath hi uske kool chaar pair the saamne ke taraf ke do pair insaano jaise the aur
unhi pairon se jude hue dono taraf se side me do aur pair nikle hue the jinke tale kafi mote
the jaise grip bana rahe hon

Main:- maine ye roop toh nahi socha tha

Rakshak:- tum bhool rahe ho ki tum kaha ho tumne socha ki ek sadharan vyaktiv ki rachna
kar usse hara doge par yahi tumhari bhool thi tum jitni aasaan chunouti chunoge tumhe
utni hi kathin chunouti milegi

Main:- abbe ek baat bata tere ye jo do extra choude foot wale pair hain inhe rakhne ka
logic kya hai inse toh achi grip ban sakti hai par abhi toh hum aasman me ho yaha kaisi
grip Rakshak ne muskurate hue apne pair uthaye aur mujhe laga ek aur jhatka kyu ki uske
pair ke neeche uske pairon ke hi size ki zamin thi jo ki uske pair neeche rakhe hone ki
wajah se dikhayi nahi de rahi thi

Rakshak:- jahan jahan mere ye pair padenge waha apne aap hi zamin aa jayegi ab agar
tumhare saare prashno ke uttar mil gaye ho toh yudh shuru kare

Main:- (mann main) saale ko five star facility mili hui hai aur yaha main phokat chaap bane
ghum raha hun magic ka istemaal bhi nahi kar sakta par kar bhi kya sakta hun main
Rakshak se thek hai shuru karte hain mere bolne bas ki der thi Rakshak tezi se meri ore
badha aur mere paas pahunch apna sir aage kar diya wo mujhe apne sir se takkar dena
chahta tha main tayar thamaine Rakshak ke sir ke upar se uchalte hue ek spin lagai main
kamiyab bhi raha par puri tarah se nahi mujhe apne upar se nikalte dekh Rakshak ne apne
pair ko upar ki taraf halka jhatka diya meri speed kafi tez thi fir bhi nikalte nikalte meri
peeth halki si uske sar se takrayi mera balanace bigad gaya aur main pair ke nahi mouh ke
bal kala baazi khaate hue neeche gira par main turant khada ho gaya ek baat toh maanani
padegi ki iss Rakshak ki speed kabile taarif thi ab mujhe aur chowkanna rehna tha Rakshak
ne ek pal meri taraf dekha aur apni jagah se sidhi chalang lagai Rakshak ki body teer ki
shape lekar goli ki speed se meri taraf badhi ab baari thi Akshaant Guru ji ke sikhayi gayi
kala ko dikhane ki main yaha magic nahi kar sakta tha toh kya huaapni androoni shakti ko
toh badha hi sakta tha maine apne pair tight kiye aur jaise hi Rakshak ka sir mere paas
pahuncha maine apni puri shakti apne dono haathon ko dedi aur haath aage kar diye
Rakshak ki speed bohat zyada thi mere pair ghisathte hue thode peeche gaye par aakhir
me maine usse rokne me kamiyab hua ahhh khood ko rukta hua dekh Rakshak mere haath
ke power ka hi use kar apne aap ko peeche jhatka dene wala tha taaki mujhse door jaa
sakepar isse pehle ki wo ye karta mera right ghutna tezi se aage badha aur uske mouh pe
padaek dard bhari aahh ke saathh wo door jaa gira khat khat dhoommm main usse mouka
nahi dena chahta tha jaise hi Rakshak khada huaisse pehle ki wo sambhale aur apna dusra
daaw chalaye main uske sar par pahunch chuka tha mere dono haath tezi se uske charo
haathon ke kalai ke naso par pade bhale hi uska roop kafi khatarnaak hopar uske ang toh
insaan ke hi thetoh unme kamzori bhi insaano wali hi hogi khat ke awaaz ke saath hi uski
kalai sunn pad gayi kuch palon ke liye uske kalai ke joints ki shakti shithi l pad gayi aur
uske haath ke saare hathyar gir gaye uske hathyar girane ke baad maine uspe teen waar
aur kiye maine uske do jo extra pair nikla hue theunko pakda aur unhe upar uthate hue
do teen baar zor se wapas neeche rakha ye maine issliye kiya kyu ki Rakshak ne kaha tha
ki jahan jahan uske pair padengewaha waha zameen aa jayegi maine apni puri taakat se
uke pairon ko neeche patka jiski wajah se uske wo do pairon me darar si padne lagi main
yahi nahi rukamaine apne right hand me taakat bhari aur ek punch Rakshak ke pet me jad
diya aahh ki awaaz ke saath uske mouh se khoon nikal gaya mukka padne ki wajah se uska
mouh saamne ki taraf aaya maine saamne se hi uski gardan pakdi aur apni taraf kheenchi
wo spin karta hua mere saamne gira maine apne right kohni se uske sir ke beecho beech
vaar kiya dhaak ki awaaz ke saath uska sar ko ek zor ka jhatka laga uske dono kaano se
khoon nikalne laga maine usse chhoda aur uske charon hathyar jo wahi uske peeche hi
pade the maine usme se talwar utha li aur wapas apni jagah par aakar khada ho gaya kuch
der tak Rakshak lambi lambi saasein lete hue niche pada raha fir jaise taise khada ho gaya
uske kalai ab tak theek ho chuke the sar par waar lagne ki wajah se khun uske pure mouh
ko dhak chuka tha aur kaan se hote hue bhi kafi saara khoon niche tapak raha tha
Rakshak:- tumhe mujhe maar dena chahiye tha Vikram mouka nahi dena tha tum bhool
rahe ho ki tum magic ka istemaal nahi kar saktepar main kar sakta hun par maine kuch
nahi bola aur khada raha Rakshak ne apne bache hue teeno hathyaron ko jinme se ek
gada tha ek khadaghaur teesra dhanush baan tha usse uthaya kuch mantra padha aur
sabko ek saath mujhpe chhod diya mantron ki wajah se uske saare shahshtron ki taadad
badh gayi ab 100 se zyada gadabaan aur khadag tezi se meri taraf aane lage mere paas
pohonche pahunchte ye hamla aur khatarnaak ho gaya jeetne bhi shashtra the sabme aag
lag gayi matlab saaf tha Rakshak mujhe tadpa tadpa kar jalate hue maarna chahta tha ab
tak maine Mokalsar Guru ji aur Akshaant Guru ji ki shiksha ko amal me laya tha ab baari
thi Shaila ke di hui prashikshan ko amal me lane ki jinho ne mujhe hawa aag aur paani
teeno ko control karna aur unse ladhna bhi sikhaya tha maine apne dono pair jode aur
apne anguthon ke bal khade hokar apni jagah par ghum gaya jaise jaise meri raftar badhti
jaa rahi thi uss bina hawa wale vaatavaran me bhi mere body ke charon taraf aandhi uthne
lagi jaise hi wo aag rupi hathyar mere paas aaye meri body se bani aandhi ke chapet me
aa gaye jaisa ki aapko pata hai ki aag ko hawa lage toh wo aur badhti haiabhi bhi thek
waisa hi hua mere paas aate hi un aag lagi shashtron ko mere dwara banayi gayi aandhi
se hawa milna lagi wo bhi bohat adhik matra me aag mere thek saamne aakar ruk gayi
par hal guzarte pal ke saath aag ka daayara badhta gaya maine apne ghumne ki gati aur
badhadi aur ghumte hue aage badhne laga mere saath saath wo aag bhi aage badhne lagi
aag ka aakar itna bada ho gaya tha ki Rakshak jo mujhse thodi door khada tha wo dar ke
maare peeche hatne laga par jab usse laga ki wo bach nahi payega toh usne gaayab hone
ki sochi par isse pehle ki wo gayab ho maine apne dono haathon ko ek zor ka jhatka diya
mere charon taraf faili aandhi light speed se apne aage chal rahe aag ki chaadar ko lapet
aage badhi aur Rakshak ko nigal gayi aahhh Rakshak ke cheekhen charo taraf failti chali
gayi mai muskurate hue ye sab dekh raha tha ki achanak meri muskurahat band ho gayi
abhi tak mujhe iss jagah ne kafi baar chonkaya tha par abki baar mere saamne jo tha wo
mere liye ab tak ka sabse bada surprise tha Rakshak ke jalte hi wo aag bhuj gayi aag ke
bhujte hi mere saamne do saaye prakat hue

Main:- maine shayad aapko kahi dekha hai oHh shit aap toh

Saaya 1:- sabse pehle toh hum Lord of Angels ko jhuk kar naman karte hain ye bolte hue
dono saaye mere aage jhuk gaye

Main:- uth jaiye aur ye bataiye ki main jo soch raha hunkahi aap wahi toh nahi
Saaya 2:- aap sahi soch rahe hain hum dono holy spirits hi hain darasal ye andaza maine
unke kapdo ko dekh kar lagaya tha dono ne wahi kapde pehne the jo maine uss
enchantment book ke maadhyam se dekha tha ek ne white gown jaisi dress pehni thi aur
dusre ne white gown par black stripes wali dress pehni thi

Main:- aapko toh spear ne kaid kar liya tha naa fir aap ussi ke Rakshak kaise? aur aapke
baakiyon ke saathi kaha hain

Holy spirit 1:- wo sab spear me hi kaid hain hum sab kul 1000 holy spirits hain jo Dhawali
jheel ki do alag alag dishaon se parikrama karte the ek taraf se 500 aur dusri taraf se bhi
500 main ek taraf ke spirits ka netritv karta tha aur ye ek taraf ki hamari tukdi ko God ne
iss bramhaad me faili achayi ki powers ko samet jheel ki holy water se milakar sabhi angels
ko baatne ka kaam diya gaya tha

Holy spirit 2:- aur hamari tukdi ko bramhaand me faili black energy ki saari shrothon ko
kheench kar jheel ke holy water se shudh kar wapas bramhaand me bhejne ka kaam diya
gaya tha ye jo kaali parte hain wo bhi hume un black energies ko shudh karne ki wajah se
mili hain

Holy spirit 1:- hume spear ne hi apne Rakshak ke roop me niyukt kiya hai hame uski baat
maaneni padi kyu ki iske badle wo spear hamare andar ki white energy ko adrishya roop
se bramhaand me failata hai jise bramhaand ka santulan bana rehta hai

Main:- ohh toh ab kya

Holy spirit 1:- hum dono hi uss spear tak pahunchne ka raasta hain aapne hume harakar
ustak pahunchne ka awsar prapt kar liya hai aap hamare andar se hokar uske saamne
pahunch jayenge par usse pehle hum dono aapko kuch dena chahte hain

Main:- kya

Holy spirit 2:- ye dono ne apna haath aage kiyaek ke haath me ek white light thi aur dusre
ke haathon me black light

Holy spirit 1:- ab tak aap magic ka istemaal nahi kar paa rahe the par isse grahan karte hi
kar payenge spear ka saamna karne ke liye aapko bal aur chall dono ka upyog karna hoga
in dono roshniyon me safed aur kaali dono shaktiyan hain jiski wajah spear aapki shakti
ko sokh nahi payegapar haan spear ke saamne jaate hi jo kasht aapko hona shuru hoga
usse aap bach nahi sakte aapko ussi haalat me spear se ladhna hoga
Main:- mujhe pata hai main tumhe grahan karta hun wo dono lights mere saamne aakar
ruk gayi thi mere aisa bolte hi dono mere andar sama gayi mujhe koi khaas fark nahi
padakyu ki meri khud ki taakat hi bohat zyada thi par ye ehsaas zaroor ho gaya ki ab main
bina kisi pareshani ke spells use kar sakta hun main chalte hue dono spirits ke paas gaya
aur uhne cross kar gaya wo dono wakayi ek darwaza hi the kyu ki unhe cross karte hi main
apne manzil ke saamne tha aur achanak ek hi pal me mere mann main teen teen emotions
ne janm liya

1:- excitement

2:- nervousness

3:- fearrrrrrr

kyu ki iss waqt mere saamne tha apne asli roop me paani se bhara behta hua Dhawali
jheel

Shaila:- ye sab kya hai Guru dev

Baba Vishakht:- tum me dhiraj bilkul nahi hai putri uss yudh me tumhare haarne ka ye bhi
ek kaaran tha Baba Vishakht ki baat sun Shaila ne sar jhuka liya

Baba Vishakht:- sharminda hone ki awashyakta nahi hai putri bas apni adheerta ko vash
me karna sikho agar tumhare saamne koi prashn khade ho jaye toh uske uttar ko dhundne
ki pehli siddi sayyam hi hai sayyam se bhara dimag kisi bhi prashn ka uttar khoj leta hai
aur rahi baat ki main kya kar raha hun wo toh mere karne ke baad tumhe apne aap hi pata
chal jayega iss waqt Baba Vishakht Mokalsar Akshaant aur Shaila Dhawalgarh ke sabse
unche aur ghane pahad ke beech khade the Baba Vishakht ne apni potli me se wo safed
kapda nikala jisme Vikram ke saare ghar walon ke baal the aur usse neeche zamin par
bicha uske saamne baith gaye Baba Vishakht apne haath me bhi ek kapda baandh liya
jiske ungliyon wala bhaag nukila tha Baba Vishakht ne saare baalon ko ek ek kar ke uthaya
phir Baba ne apni aankhen band ki aur ek mantra kaha tatvika vishmapana (real illusion)
Baba Vishakht ke mantra kehte wo saare baal chamakne lage Baba ne un baalon ko apne
saamne hawa me uchaal diya wo saare baal hawa me tairte hue neeche zameen ki taraf
aane lage aur jaise hi wo saare baal zamin se takraye ek tez roshni hui aur jab wo roshni
ghati toh Akshaant Shaila aur Mokalsar shocked ho gaye

Mokalsar:- Guru dev ye sab isse toh aap ********


Baba Vishakht:- iska jawab tumhe swayam Vikram dega Akshaant tumhe ek kaaam karna
hoga

Akshaant:- aadesh de Guru dev

Baba Vishakht:- main abhi dhayan me baithne wala hun tumhe adrishya awashta me
Vikram ke ghar ke paas rehna hai waha pahunchkar tumhe apne divya drishti se mujhe
dekhte rehna hai jaise hi mere mookh se abhi nikle tumhe Vikram ke ***** karna hai tum
jante ho iske liye tumhe kis mantra ka prayog karna hai teeno me se kisiko bhi Baba dwara
diye gaye nirdesh ka matlab aur kaaran samjh nahi aayapar wo jante the ki Guru ji koi bhi
kaam bina kisi khaas udeshya ke nahi karte Akshaant ne Baba ko naman kiya aur gayab
hokar ussi adrishya haalat me Vikram ke Nana ji ke ghar ke saamne khada ho gaya usne
apni divya drishti ko jagaya aur Baba pe focus kiya Akshaant ko Baba dikhne lage Baba
vishkaht ko bhi pata chal gaya ki Akshaant unhe dekh raha hai issliye unke chehre par
santushti bhari smile aa gayi Baba Vishakht ne Shaila aur Mokalsar ko kuch nirdesh diye
aur khud dhayan me baith gaye Dhawali drishti darshanam karoti dhayan me baithe Baba
Vishakht ne jaise hi ye mantra bola unhe Vikram aur jheel dikhne lagi Baba Vishakht ke
chehre par khushi aur gabrahat dono hi bhaav ek saath dikhne lage khushi issliye kyu ki
ab samjh gaye ki Vikram ne shuruati sabhi chunoutiyon ko safalta purvak paar kar liya hai
gabrahat issliye kyu ki Baba Vishakht ye jaan gaye ki ab Vikram ka saamna spear se hone
wala hai

Wahi dusri taraf:

daddd awaaz sun jaise hi Balbeer peeche paltaapne saamne apne dusre bete Digvijay ko
dekh jaldi se utha aur Digvijay ke gale lag gaya kuch der tak gale lagne ke baad jab dono
baap bete alag huetoh Digvijay ko ek jhatka laga kyu uske baap ke aankhon me aansu the
kyu ki Valefor ek devil tha uske aansu kaale colour ke the

Digvijay:- kya hua dad mujhe pehle hi kuch galat hone ka andesha ho gaya tha issliye main
yaha aaya maine pehli baar aapke aankh me aansu dekhe hainkahi mom ko toh

Balbeer:- nahi bete teri mom bilkul thek hai par

Digvijay:- par kya dad fir Balbeer ne Digvijay ko jo kuch bhi hua tha wo bataya ye jaankar
ki uska koi bhai bhi hai Digvijay bohat khush ho gaya par jab usse pata chala ki uske bhai
ke saath kya kya hua hai Digvijay ka dimag ghum gaya
Digvijay:- main uss saale aur uske pariwar ko aisi mout dunga jo kisine sochi bhi nahi hogi
ye bolkar jaise hi Digvijay uthne ko hua Balbeer ne uska haath pakad usse wapas baitha
diya

Balbeer:- jaldbaazi me kiya gaya kaam nuksaan pahunchata hai bete ye baat maine
tumhare bhai ko bhi samjhayi thi par wo nahi maana tum ye galti mat dohrana

Digvijay:- dadmujhe kuch nahi hoga aap nahi jante ki mere andar ab kitni shakti hai main
uss Vikram ko chutki me masal dunga

Balbeer:- beta shakti tumhare bhai me bhi kam nahi thi uske andar hum charon pramukh
devil's ka khoon thaphir bhi wo uss Vikram ka kuch bigad na paya

Digvijay:- par dad mere shakti ka shroth alag hai aur zyada taakatwar bhi bhai ne Vikram
ko barabar ki takkar di thi iska matab wo mere saamne zyada der tik nahi payega

Balbeer:- uska bhi ek kaaran hai putra Vikram ne kuch der ke liye apne suraksha kawach
ko khud hi hata diya tha warna uspar ek bhi waar nahi kiya jaa sakta ruko main tumhe
dikhata hun ki main tumhe kyu rok raha hun Balbeer ne apna haath saamne kar ek baar
ghumaya dono ke saamne hawa me hi ek screen ban gayi jisme uss din ka drishya dikh
raha tha jab Balbeer ne Vikram ke upar pranghati mantra se waar kiya tha jaise jaise wo
drishya aage badh raha tha Digvijay ki aankhen hairat se failti chali jaa rahi thi aur jaise hi
wo drishya aaya jisme Balbeer ka mantra Vikram ke suraksha kawach se takrakar ek jhatke
me toot gaya aur jiske wajah se Balbeer behosh ho gayaDigvijay ko ek tez jhatka laga

Digvijay:- ye kaise ho sakta hai? koi bhi surakhsha kawach itna shaktishali kaise ho sakta
hai

Balbeer:- itne dino se main bhi yahi soch raha hun aur maine uss suraksha kawach ka
shroth pata lagane ki bhi koshish ki par nakam raha aur rahi baat tumhari taakat ki toh
tumhari apaar shakti ko maine bhi mehsoos kiya haipar fir bhi uss ladke par abhi humla
karna theek nahi hoga

Digvijay:- ek koshish karne me kya jata hai dad aur waise bhimain jo bhi karunga yahi se
karunga

Balbeer:- matlab tu kya kehna chahta hai? Digvijay ne kuch nahi kaha aur apni aakhen
band kar kuch mantra kaha Digvijay ke haath me ek red gola dikhne laga

Digvijay:- dad aap iss gole me aapka vidhwansi mantra mila dijiye Balbeer ne apni aankhen
band ki aur apne haath aage kiye Balbeer ke haathon se kaali roshni nikli aur Digvijay ke
haath ke upar rakhe red gole me ghus gayi Digvijay ne apni aankhen band ki aur Vikram
ko khojne laga par ue Vikram kahi nahi dikha Digvijay chonk gaya aur usne apni aakhen
khol di

Digvijay:- dad wo Vikram nazar kyu nahi aa raha

Balbeer:- yahi toh main gutthi hai bete meri nazar uspe har waqt rehti thi par beech beech
me wo dikhna band ho jata tha jitnei bhi koshish karo pata hi nahi chalta tha ki wo kaha
gaya kahi ye uski koi nayi chaal toh nahiye sochkar maine uspe nazar rakhna band kar diya

Digvijay:- kabhi na kabhi toh sab pata chal hi jayega filhal ke liyewo nahi toh uski family hi
sahi Digvijay ne fir aankh band kiyeusse Vikram ki family dikhne lagi jise dekhkar Digvijay
ke chehre par muskaan aa gayi

Digvijay:- ab kaha chupega apni family ko marta dekh toh zaroor saamne aayega Digvijay
ne apne haath me rakhe gole ko chhod diya wo red & black gola tezi se Dhawalgarh ki
taraf aane laga par ye kya Digvijay aur Balbeer ki aankhen shock se faile gayi hua ye ki
jaise hi wo gola Dhawalgarh ki sarhad tak pahuncha wo ruk gaya aur ek jhatke ke saath
nasht ho gaya

Digvijay:- impossible ye kaise ho sakta hai

Balbeer:- maine kaha tha naye guthi jitni dikhti haiusse zyada uljhi hui hai beta hame josh
ne nahi hosh se kaam lena padega jo bhi karna hai soch samjh kar thande dimag se karo
Digvijay ne Balbeer se kuch kaha jise sunkar Balbeer ne pehle kuch kaha par phir Digvijay
ko lekar ek taraf chal diya par kuch hi der me dono baap bete wapas aa gaye dono ke hi
chehre par udaasi thi

Balbeer:- beta tum ek kaam karo kuch din ke liye kahi ghum aao tumhara mind bhi fresh
ho jayega uske baad sochenge ki aage kya karna hai

Digvijay:- thek hai dad main thoda bahar se aata hun2 saal ho gaye apne doston se mile
hue sabse milta hun aur fir unhi ke saath milkar kuch paln banata hun ki kaha ghumne
jaaya jaye

Balbeer:- thek hai Digvijay apne doston se milne nikal gaya

In Heaven:

St Cecilia:- aapka anuman sahi nikla agar aap samay rehte Dhawalgarh ki seema ko nahi
baandhte toh anarth ho jata
St Sebastian:- aisa kuch hoga ye anumaan mera nahi tha

St Cecilia:- toh fir

St Sebastian:- ye lord of angels ka yakin tha ki aisa kuch ho sakta hai Guru Vishakht ko
nirdesh dene ke baad unhone mujhe bhi kuch nirdesh diye the

St Cecilia:- waah lord ka prediction power kafi badh gaya hai

St Cecilia:- haanpar abhi ye dekhna baaki hai ki Baba Vishakht ko jis prediction ki wajah se
lord ne kaam soumpa hai kya wo bhi sach hota hai

St Alfrick:- haan main bhi yeh sab dekhne ke liye atti utsuk bhi hun aur chintit bhi najane
aage kya hoga

St Sebastian:- kuch hi der me iss ka jawab hum sab ko mil jayega

Back to hero:

aahh umm main paani ki satah ke upar pada dard se chatpata raha tha kya hua bache?
basitne me hi dum nikal gaya

Main:- (mann main) saala ek toh ye dard upar se ye nautanki aur kya keh raha hai bache
saala itna bhi nahi pata ki mujhe bacha bol ye khudko bhi wahi bol raha hai darasal jo
mere saamne khada tha wo main hi tha samjh nahi aaya nacha liye aapko samjhata hun
jaisa ki aap sab ko pata hai ki main iss waqt Dhawali jheel ke asli swaroop ke saamne khada
hun jheel ke beecho beech mujhe kuch chamakta hua sa dikhajo ki asal me meri manzil
thi spear ab main magic ka use toh kar hi sakta tha maine apne dono haath failaye aur
hawa me uth gaya par jaise jaise main paani ke upar se aage badh raha thamere sharir
me dard badhta jaa raha tha par lagbahg do saalon se pida avlokya mantra padhne ki
wajah se main uss dard ko seh paa raha tha kuch hi palon me main spear ke saamne tha

Main:- saala ye kis angle se spear dikh raha hai ye toh talwar se bhi bada hai mere saamne
jo spear thawo kareeb for feet bada tha golden colour yaane ki sone ke parat me dhaka
hua ek khoobsurat sa spear spear ko dekh kar ye koi bhi nahi keh sakta tha ki wo carodon
saal purana hai aisa lag raha tha jaise usse abhi abhi banaya gaya hai aur ek ajeeb baat thi
us spear me ek naam likha hua tha jo samjh me nahi aa raha tha ye baat mere liye kafi
chowkaane wali thi kyu ki mujhe iss bramhand me use kiye gaye sabhi language aate the
par ye language unme se nahi tha khair jaise hi maine uss spear ko chune ke liye apna
haath aage badhayaspear me se ek tez bijli nikal kar mujpar padimain udta hua paani me
jaa gira ahhh aap soch rahe honge ki paani me girne se dard kyu wo issliye kyu ki main
paani me dooba nahibalki uski satah se takrakar paani ke upar hi reh gaya paani ki satah
patthar jaisi mazboit thi ek toh spear dwara diya gaya darduske upar main kafi zor se uss
satah par gira tha dard toh hoga naa main latte patte khada hua aur wapas dard ko control
karne ka mantra bolne laga kaise ho Vikram? abhi main normal hua hi tha ki awaaz sun
jaise hi maine saamne dekhamujhe ek naya jhatka laga mere saamne jo khada tha wo aur
koi nahi main hi tha issliye maine kaha tha ki mujhe bacha bol ye khudko bhi wahi bol raha
hai (saamne wale ko behroopiya likhunga)

Behroopiya:- itne hairan kyu ho? tumne khud hi mujhe janm diya hai?

Main:- toh naam kyu le raha hai? papa bol naa aur papa se yaad aayateri maa kaun hai

Behroopiya:- spear

Main:- matlab kuch bhi naa

Behroopiya:- jaise hi tumne spear ko chuausne tumhare aks kotumhari taakat ko copy kar
liya aur ussi se mera janm hua mujhme bhi wahi sab taakatein hainjo tumme hai

Main:- toh ab behroopiya ne bina kuch bole mere upqr electric rays chhode jise maine
apna haath aage kar rok diya par tabhi usne kuch naya sa kiya usne apne haath ko jise
rays nikal rahe the usse ghumane laga uske haath ghumaate hi rays bhi gol ghumte hue
mere saare sharir se lipatati chali gayi mujhe asahaniya dard hone laga tabhi wo
behroopiya tezi se aage badhaaur usne mere chehre par 34 punch jad diye mera dard
double ho gaya usne apni ungli ulti ghumayi dekhte hi dekhte mere sharir se lipti saari
electric rays nikal gayi rays ke nikalre hi usne mere pet pe lagatar do punches maare main
dard se dohra ho kar neeche gir gaya

Behroopiya:- kya hua bache? basitne me hi dum nikal gaya (first scene)

saale se ladhna wakayi mushkil tha kyu ki spear ne usse meri hi kabiliyat de di thi par tabhi
mujhe kuch yaad aaya jo meri book hamesha mujhe kaha karti thi

Book:- apne dimag ko apne dil se jodo tumhe har pareshani se nikalne ki yukti mil jayegi
mujhe yakin tha ki spear mere dimag kounme chupi kabiliyat ko toh padh sakti haipar
mere dil ko nahikyu ki mera dil mere book ka ghar hai jahan spear nahi pahunch sakti
maine apni aankhen band ki aur dhayan lagaya mujhe mere dil ki dhakane sunayi dene
lagi aur agle hi pal mere dhadkano ki awaaz ka thekana badal gaya ab ye awaaz mere
dimag se aa rahi thi maine apni aankhen kholi dard toh mujhe ab bhi kafi ho raha tha par
mere chehre par muskaan thi mujhe uskurata dekh behroopiye ki muskaan gayab ho gayi
pida prarabham aahhh nahii ye cheekh meri nahi mere behroopiya ki thi wo apna sar
pakad kar baith gaya darasal jo mantra maine abhi bola thawo book ke dwara batate gaye
mantra ka kaat tha pida avlokya ti mantra mere dimag par asar kar raha tha aur jo
behroopiya mere saamne khada thausme bhi mera hi dimag tha mere mantra palatne se
mere dimag ka dard uske dimag ne mehsoos karna shuru kar diya aur raha mera sawal
toh mera dimag toh mere dil se jud chuka thaissliye mujhe kuch khaas fark nahi pada
behroopiya ka dard itna badh gaya ki wo behosh ho gaya abhi main khush ho hi raha tha
ki tabhi spear me se ek kaali gaadhi roshni nikli aur uss behroopiya me sama gayi kuch hi
palon me uss behroopiye ka colour badalkar kaala ho gaya behroopiya ek jhatke me khada
ho gaya uss behroopiye ka roop toh mera hi tha par un kaale rays ki wajah se uska roop
bhi kaala ho gaya

Main:- thanks bol be ehsaan faramosh mere roop ki wajah se kaala daamar hone ke baad
bhi tu handsome dikh raha hai par wo behroopiya kuch bola nahi bas dehekti aankhon se
mujhe ghurta gaya usne apne haath uthaye mere dono taraf ka paani hawa me uth gaya
behroopiye ne paani ki taraf haath kar kuch mantra kaha aur fir apne haath meri taraf kar
diye paani tezi se meri aur badhi aur mujhe apne andar sama le gayii jab meri jagah se
paani hati toh main waha nahi thajise dekhkar behroopiya hasne laga ki tabhi idhar dekh
oye behroopiye ne jab awaaz ki taraf dekha toh shocked ho gaya usse kuch hi door main
paani ke bane mat ke upar khada tha behroopiye ne apne dono haath se paani ko chu liya
pure paani me bukamp aane laga har jagah go gol bhawar banane laga main hawa me
jahan khada thabehroopiye ne thek ussi jagah ke neeche apne haath kiye aur kuch mantra
bola soobh ki awaaz se thek mere neeche se tezi se meri taraf paani se bane trishul aane
lage ye ek do tarfa humla tha agar main khada rehta toh trishul mujhe lagta aur agar kudta
toh bhawar ki chapet me aa jata maine ek lambi saans li aur kood gaya mujhe girta dekh
behroopiye ke kaale chehre ke beech safed daath chamakne lage par ye khushi sirf ek pal
ki thi behroopiye ke khushi wale chehre par ab shocking expressions the hua ye ki neech
girte waqt maine apne haath tezi se ghumaane shuru kar diye jise paani ke thek upar hawa
uthne lagi jisne bhawar ko apne andar sametkar barf bana diya main thek uss barf ke bade
se gole ke upar spin karte hue gira aur khada ho gaya

Main:- bas bohat hua ab samaya tha book se sikhaye gaye sabse khatarnaak mantro me
se kuch ke istemaal karne ka maine apne haath aage kiye prajwalayati (set on fire) mere
mantra bolne se pure paani me aag lag gayi aag lagne se behroopiye ke tale jal gaye wo
turant hawa me uth gaya shyandana vizasati (air destroy) mere ye mantra bolte hi
behroopiye ke aas paas moujud hawa zehrili ho gayi jab iss baat ka ehsaas behroopiye ko
hua toh usne naak band kar li par tab tak wo zehrili hawa uske andar jaa chuki thi vajrahata
(striking of a thunderbolt) aasmaan kaale pad gaye aur har taraf se bijli nikalkar
behroopiye ke upar padne lagi kuch hi palon me behroopiye ka sharir raakh ho gaya maine
abhi chain ki saans bhi nahi li thi ki ek nayi chiz hui spear me se tez roshni nikli aur har
taraf faile gayi kuch hi palon me mera kiya har jaadu khatam ho gaya mera jaadu khatam
kar spear ek baar fir chamki par mere chehre par bhi halki smile aa gayi mujhe pata tha ki
ab kya hone wala hai spear ki roshni se for behroopiye bahar aaye aur mere saamne aakar
khade ho gaye wo charon ek tak mujhe dekhne lage jo maine socha tha wo toh hone hi
wala tha par saath me kuch aur bhi hua jo maine nahi socha tha ek behroopiye ne baaki
teeno ko kuch ishara kiya teeno gaayab ho gaye

Wahi dusri taraf:

abhi Baba Vishakht dhayan awastha me Dhawali jheel ka scene dekh rahe the waha uss
behroopiye ne apne teeno saathi yon ko jane ka ishara kiyayaha Baba Vishakht ke mouh
se abhi nikla jo Akshaant ne sun liya aur apna turant ek mantra padha aur gayab hokar
wapas Baba Vishakht ke paas pahunch gaya Baba Vishakht ki aankh khul gayi Baba
Vishakht ne kuch mantra bola unke saamne ek bangla ban gaya

Baba Vishakht:- jaldi se inko lekar andar jao aur tayar rehna

Teeno:- jee Guru dev teeno kuch logon ko lekar uss bangle ke andar chale gaye

Back to hero:

teeno behroopiyon ke gayab hote hi spear ek baar fir se chamki aur usse ek bijli se bani
rassi nikli aur mujhe lapetathi chali gayiii aahhh tabhi ek aur cheez hui mere andar se kitab
nikli aur gayab ho gayi mera dard issliye hi control me tha kyu ki wo kitab mere dil se
connected thi uske jaate hi mere dil ka connection mere dimag se toot gaya aur mujhe
asahaniya dard hone laga

Behroopiya:- waahtera aakhri waqt aate hi wo book ne bhi tera saath chhod diya ab yaha
tu marega aur waha tera pariwar chal tere marte marte tujhe tere pariwar ki mout bhi
dikhata hun behroopiye ne apne haath ghumaye saamne hawa me ek badi si screen ban
gayi

Wahi dusri taraf:

meri kitab gayab hokar ek jagah pahunchi uss jagah par koi soya hua tha book se ek roshni
nikli aur saamne wale par padi book aur wo shaks gayab ho gaye
Back to hero:

Behroopiya:- kyu maza aa raha hai arre tujhe kaise maza aayega tu toh khud marne wala
hai hahaha mere saamne screen par mere teeno Guru Mokalsar Shaila aur Akshaant
teeno behroopiyon se lad rahe the kuch der tak mere teeno Guru un sab ka saamna karte
rahe par wo behrupiye zyada taakatwar the unhone mere teeno Guruon ke shastra gira
diye shashtra girte hi mere teeno Guru gayab ho gaye

Behroopiya:- arre yaar tere gharwalon ke body guards toh bohat phattu nikle khair apni
jaan kisko pyaari nahi hoti tu aakhri baar apne apno ko dekh le un teeno behroopiyon ne
mere saare pariwaar walon ko ek jhatke me maar diya tha unka kaam khatam ho chuka
tha wo wapas gayab hokar spear me sama gaye main isse aage nahi dekh paya aur behosh
ho gaya behroopiya dheere dheere chalte hue mere paas aa raha tha ki tabhi ek tez roshni
hui jaise hi roshni behroopiye par padi wo udte hui peeche jaakar gira uss roshni ke beech
me se meri kitab nikli par wo akeli nahi thi uske saath koi tha kitab jise laayi thi usse thek
mere baaju me lita diya book se ek aur baar roshni niklius shakhsh ka haath apne aap hi
mere haathon ke upar aa gaya jaise hi hum dono ke haath mile mere sharir ko tez jhatke
lagne lage wo bijli ki rassi jo mere sharir ko baandhe hue thi ek jhatke me toot gayi kuch
der tak meri body jhatke khaati rahi fir shaant pad gayi behroopiya jahan jaakar gira tha
wahi se aankh faade ye sab dekh raha tha jaise hi wo rassi tuti aur mere sharir ko jhatke
lagne band huewo uthkar mere paas aaya aur jaise hi usne mere saath wale ka chehra
dekha usse mujhse bhi zyada bada jhatka laga

Behroopiya:- Avantikaaa ji haan doston book aur kisi ko nahi Avantika ko lekar aayi thi
jaisa ki maine bataya tha ki behroopiye ne mera dimag padha tha issliye meri life me aaye
har shaksh ko janta tha

Behroopiya:- ye kaise ho sakta hai ek maamuli si ladki ye sab kaise kar sakti hai

Book:- main batati hon ye ladki aur koi nahi Vikram yaani Lord of Angels ki shakti hai iske
rehte koi bhi unka kuch nahi bigad sakta isse pehle ki behroopiya kuch kehta book
Avantika ko lekar gayab ho gayi

Behroopiya:- isse yahi khatam kar deta hun kissa hi khatam main abhi bhi behosh hi pada
tha behroopiye ne apna haath aage kiyauske haath me ek talwar aa gayi wo aage badah
aur usne mere gardan ko nishana banakar talwar chala di aahhh ye awaaz behropiye ki
thi hua ye ki jaise hi behroopiye ne apna haath upar uthaya mujhe hosh aa gaya maine
bhi turant ek talwar ka awaha kiyaaur isse pehle ki behroopiya talwar chalayemaine apni
talwar usske pet me ghusa di aur jaise hi wo dard se tadapta hua aage jhuka maine ek
jhatke me uske pet se talwar nikaliaur uski gardan uda di main tezi se utha aur spear ki
taraf chal diya mujhe aage badhne me kafi pareshani ho rahi thi aisa lag raha tha jaise koi
mujhe peeche kheench raha hai par main ruka nahi aur aage badhta raha wahi jaise jaise
main spear ke kareeb jaa raha thaspear tez chamakne lagi thi aur fir achanak mere sharir
par angels wale white kapde aa gaye the main hawa me uthne laga tha aur mere andar se
kai roohen ek ek baad ek bahar aane lagi thi hua ye ki main jab spear aur mere beech bas
kuch metres ka faasla bhar bacha thatoh wo spear ek jhatke me aayi aur mere andar sama
gayi ab main apne lord of angel ke get up me zaroor thapar mujhe bohat zyada dard ho
raha tha ki tabhi mere saamne ek aur roshni hui aur meri book mere saamne prakat hui
book ke saamne aate hi wo spear mere andar se bahar aa gayi maine uss spear ko pakda
aur usse dekhne laga uspe jo naam likha thawo mit chuka thaaur ab uspe ek naya naam
likha raha tha Vikram par purane naam ke mitne se pehle maine usse padh liya tha ab wo
naam saaf english me likha tha Asmodeus mujhe iss naam ke maalik ke bare me bhi pata
chal chuka tha

Main:- (mann main) bohat jaldi mulakat hogi mere bhai wahi mere saamne meri book
apne aap khul gayi aur wo spear uske andar ek taswir ke roop me chhap gayi

Book:- kya mujhe aapke andar samane ki ijazat hai spear ki taswir chhapte hi book se
aawaz aayi

Main:- ijazat hai mere haan bolte hi wo book ek jhatke me mere andar sama gayi mera
pura sharir glow karne laga meri aankhen bhi puri safed ho gayiiii maine upar dekhateeno
God's messenger heaven's gate par haath jode khade the main dheere dheere neeche
aane laga jab main neeche aaya toh mere saamne 1000 holy spirits the jinhe maine mukt
karaya thawo bhi mere saamne khade the mere unke saamne aate hi wo sab apne ghutno
par jhuk gaye

Main:- khade ho jaiye

Holy spirit 1:- hame mukti dilane ke liye apka koyi koti dhanyawaad aur shama kariye ga
hum aapko apni taakat nahi de payenge

Main:- kya main iski wajah jaan sakta hun

Holy spirit 2:- hamare bandi bante hi humne apni taakat ko dusre grah par chupa diya tha
par badkismati se hamain taakat bhi dushit ho gayi haiissliye hum usse wapas bahi bula
sakte

Main:- kaun se grah par aapki shaktiyan hai aur wo dushit kaise ho gayin
Holy spirit 1:- hamari shaktiyan gluto grah ke gufa me diamonds ke roop me hain par do
kaali shaktiyon ke bhakton ne un diamonds se shakti haasil kar usse bhi dushit kar diya
hai

Main:- aap fikr na kare main khud jaakar un shaktiyon ko punah shudh kar prapt karunga
ab aap sab kya kare ge

Holy spirit 1:- humari aatma ab kahi aur nahi reh sakti hum sab wapas God ke sharan me
chale jayenge

Main:- thek hai bas ek minute rukiye Baba Vishakht prakat ho mere awaaz dete hi Baba
Vishakht Akshaant Mokalsar aur Shaila ke saath prakat hue

Main:- Guru jimain aapko iss duniya ke mayajaal se mukt karta hun ab aap God ke sharan
me jaa sakte hain maine apna haath aage kiyamere haathon se safed roshni nikli aur Baba
pe padiunka sharir parchai me badal gaya maine upar dekhast Sebastian ne heaven ka
darwaza khol diya saare holy spirits ek ke baad ek hawa me uthkar heaven me jane lage

Baba Vishakht:- tumhara Guru honayahi mere liye mokhsh se kam nahi tha putra
Akshaant tum teeno ke mann main jo bhi sawal haiwo Vikram se puch lena mere jane ka
waqt ho gaya hai Baba Vishakht bhi holy spirits ke saath hawa me uth heaven chale gaye
Guru ji ko jaate dekh meri aankh se do bund aansu nikal kar gir gaye aakhir Guru ji mere
pita tulya tha par main khush tha ki wo jo chahte thewo unhe mil gaya main teeno ko le
gayab ho apne ghar ke peeche wale jungle me pahuncha jo mayavi bungla Guru ji ne
banaya thawo gayab ho chuka tha kuch der tak hamare beech shanti rahi sabhi ko Guru ji
ke jane ka dukh tha

Main:- kafi thand hai yaha iss waqt subah ke 7:45 ho rahe the Dhawalgarh pahadi ilake
me basa sheher tha aur uske upar hum pahad me the yaha thand kuch zyada hi thi main
toh iss kadakti thand me bhi normal hi tha par baat shuru karne ke liye kuch toh kehna hi
tha

Shaila:- hamare grah me yoh pure saal isse zyada thand rehti hai

Mokalsar:- sahi kaha yaha ka mousam toh hamare liye normal hai ab mahoul kuch normal
thatoh main sidhe mudde par aa gaya

Main:- hmm toh kya sawal hain aap sab ke


Akshaant:- yahi ki aapki family ke clones ka bhram paida karne ke liye unke baalon ki kya
awashyakta thi wo toh sirf spell bolke hi kiya jaa sakta tha ji haan doston un behroopiyon
ne jinko maara tha wo mere pariwaar ke clones the

Main:- ye mat bhuliye ki mera saamna kisse hua tha mere pariwaar walon ke baal ki wajah
se jo clone banaye gaye the wo unke originals se kam asli nahi the agar maine ya Guru ji
ne aise hi clone bana diye hote toh spear dwara bheje gaye behroopiye unhe pehchaan
jaate

Mokalsar:- ab hamare liye kya aadesh hai

Main:- aadesh nahi nivedan hai wo bhi main tab hi bataunga jab aap teeno mukhse pehle
jaisa bartav kare ge aap teeno ki di hui shiksha se hi main ye chunouti paar kar paya hun

Shaila:- bolo fir tumhare liye toh hum jaan bhi de denge

Main:- aisa kabhi nahi hoga main bas aapse ye chahta hun ki **********

Akshaant:- bas itni si baat ho jayega

Main:- toh ghar chalen teeno ne jaise hi haan kaha wo chonk gaye kyu ki unke mundi haan
me hilate hi hamari jagah badal gayi hum mere room me the

In my room:

Ronit:- yaar tu kaisa clone hai tujhe pata hi nahi ki Vj thek hai bhi ya nahi par jawab me
mera clone bas muskuraya aur gayab ho gaya

Ronit:- ab ye kaha gaya?

Anjali:- kahi Vj koi musibat me toh nahi hai

Main:- tumhare jaise doston ke hote Vj ko kuch nahi ho sakta awaaz sun jab dono palte
mujhe saamne dekh dono turant bed se kude aur mere gale lag gaye

Ronit:- bhai tu thek toh hai naa

Main:- tere saamne hun dekh le

Anjali:- yaar hum dono itne tension me the hum teeno ki kuch der tak yuhi emotional
baatein hoti rahi

Main:- baaki baatein do mahine ke baad

Anjali:- do mahine matlab tu fir kahi jaa raha hai


Main:- main nahi tum dono jaa rahe ho

Dono:- matlab

Main:- maine tum dono ko kaha tha na ki wo tonic main kisi khaas wajah se tum dono ko
pilata tha

Dono:- haan

Main:- wo tonic main tum dono ko issi din ke liye pilata tha uss tonic ki wajah se tum dono
ke body ke cells badal gaye hain ab tumhare body ki banavat alag hai tum dono ke andar
100 insaano se zyaada talat hai par itna kafi nahi hai tumhe aur shaktishali hona padega
uske liye tum dono ko in teeno ke saath inke grah jana higa waha tumhari training hogi

Ronit:- ye zaroori hai kya

Main:- agar meri aage ki chunoutiyon me tum dono mere saath rehna chahte ho toh fir
ye training zaroori hai

Ronit:- gharwalon ko kya kahege

Main:- wo main sambhal lunga

Anjali:- tu bhi saath chal naa

Main:- fir tum dono thek se concentrate nahi kar paoge ab aur koi sawal nahi chalo sab
bahar saare gharwale bahar hi baithe the

Main:- hello everyone

Sab:- hello bacho

Mom:- nashta lagaun

Main:- abhi nahi abhi mujhe aap sab se kuch important baat karni hai

Sab:- haan bolo

Main:- Ronit aur Anjali ko do months ke liye meri jaisi training lene ke liye jaaana hoga wo
bhi abhi meri baat sun shocked ho gaye isse pehle ki koi kuch kehta

Main:- ye Guru ji ke orders hain wo toh kisi urgent kaam se gaye hain unhone mujhe aap
sab ko batane ko kaha hai aur ye bhi kaha hai ki agar on dono ne training nahi litoh inke
saath kuch galat ho sakta hai (jhoot) meri baat sun sabhi chonk gaye mom dad dono jante
the ki Baba Vishakht ki baat galat nahi ho sakti mom dad ne ye baat jaise hi sabko batayi
sabhi khatre ki baat sun dar gaye aur dono ke jane ke liye haan keh diya aur ek ghante me
Ronit aur Anjali bags pack kar nikal gaye

At night in my bedroom:

mujhe Asmodeus ke bare me kafi kuch pata chal gaya tha kamsekam itna ki wo kya tha
aur devil kaise ban gaya mujhe ye bhi pata chal gaya tha ki meri supragupta book God ke
aansuon se kaise bani Asmodeus ki galat harkaton ki wajah se God nebusse khud se door
toh kar diya par tha toh wo bhi unka anshunka bachha hi ussi gum me God ke aankhon se
aansun mikleaur aansu nikalte waqt jo bhi gyan God ke dimag me ghum raha thawo sab
bhi aansu me badal gaya un aansuon ne ek book ka roop le liya aur sadiyon se apne
uttaradhikaari ka intezar kar rahi thi mere roop me uska intezar khatam hua par ek baat
meri samjh me nahi aa rahi thi wo ye ki bhale hi Asmodeus negative tha par shakti toh
usme bhi uss waqt mere jitni hi thi phir wo spear uski kyu naa ho saki aur iss spear ne
mujhe kyu chuna aakhir mujhme aur Asmodeus me kya fark tha jaise hi ye khayal mere
mann main aaya mere andar se mere book ki aawaz aayi aap me aur Asmodeus me sirf
ek hi fark hai

Main:- wo kya?

Book:- nazariya attitude

khon khon mujhsa badnaseeb kaun hoga ye jante hue bhi ki aaj mujhe iss dard se mukti
milne wali hai mera mann bhaari hai aahhh

Ladki:- dadi wo ladki jaise hi uthne ko hui

Dadi:- rehne de Analia bas kuch hi der ki toh baat hai is sukhe khoon ko bhi mujhe aakhri
baar dekh lene de Analia wapas apni dadi ke sirhane baith gayi uske moti jaise aakhon se
tap tap karke aansu behne lage ek budhi aurat jo ek bade se khaat pe leti hui hai aur ye
khaat kisi ghar par nahi hai balki iss waqt ek bohat hi bade se barf ke maidan me hai uske
paas hi uski poti Analia baithi hui hai par wo dono akele nahi hain iss waqt uss maidan me
uss grah ke baaki ke 999 niwasi khade hue hain

Dadi ji:- betaa ansu ke behne se dil ka dard kam hota hai par tujhe toh abhi zindagi bhar
iss dard ko jhelna hai toh in aansuon ka kya mol

Analia:- aahh ek ladki jo ki Analia ki hi umar ki thi wo bhaag kar gayi aur ek gila kapda lekar
aayi usne Analia ke haath me cut ki wajah se jo khoon nikal raha tha usse poch diya nam
aankhon se usne Analia ke saamne apna haath kar diya uske haath me kuch tha Analia ne
bhi bheegi palkon se uss ladki se uss cheez ko liya aur uski ek bite li par ye kya wo cut jise
khoon nikal raha thaAnalia ke uss cheez ki ek bite lete hi wo apne aap hi bhar gaya ahhh
abhi Analia ke cut ko bhare hue ek minute bhi nahi hua tha ki waha moujud har shakhs ke
mouh se ek ke baad ek dard bhari aah nikalne lagi sabhi ke body me jahan jahan cuts pade
the uss cheez ko khaate hi wo saare cuts bhar gaye Analia ki hi tarah sabne apne haath
me pakdi cheez ka ek ek bite khaya

Dadi:- mujhe maaf karna gudiya main tere liye kuch bhi nahi kar saki

Ladki 1:- arre ye kya hua abhi Analia kuch kehti ki tabhi wo jagah jahan wo sab khade the
hilne lagi maano bhukamp aa gayi ho ye jhatke sirf wahi nahi aaye the balki puri courious
grah hil gaya tha waha khade sabhi zamin ke saath saath khud bhi hil gaye kuch toh gir
bhi gaye Analia ne jaakar apni dadi ko jo ki ek khatiya me leti hui thi zor se pakad liya taaki
dadi khatiye se gir naa jaye abhi tak sab iss pehle jhatke se ubre nahi the ki sabko ek dusra
jhatka laga pura courious grah jahan pichle ek lakh saalon se andhera chaaya hua tha
thand hamesha apne charam par rehti thi uss pure grah me kuch palon ke tez roshni fail
gayi mousam thand se badalkar wapas waisa ho gaya jaise ek lakh saal pehle hua karta
tha ye sab bas kuch hi palon ke liye hua fir sab kuch pehle jaisa ho gaya

Analia:- aapke chehre par muskurahat dadi hua ye ki jab zameen ka hilna band hua Analia
jo apni dadi ko sambhaali hui thi unse alag hui par alag hote hi Analia ko shock laga kyu ki
uski dadi ke aankhon me aansu par chehre par muskurahat thi jo ki najane kitni sadiyon
ke baad dekhne ko mili thi Analia ki baat uske paas khade kuch logon ne bhi suni aur jab
unhone dadi ki taraf dekha toh wo sab bhi chonk gaye

Dadi:- maine toh ummid hi chhod di thi param pitah ne mere aakhri ghadiyon me mujhe
wo sukun de hi diya jise paane ka intezar maine apni puri zindagi ki hai

Analia:- kaisa sukun dadi? aur ye jo sab abhi hua isse aapke chehre par koi shock ke bhaaw
nahi hainkya aap janti hain ki ye sab tha kya

Dadi:- ye jo kuch bhi hua hai wo bhavishya vaani ke sach hone ka pehla sanket hai Analia
apni dadi ki baat sunkar chonk gayi jab bhi usne dadi se pucha ki unka grah pehle jaisa kab
hoga kab unhe uss dard se jo wo najane kitni sadiyon se jhelte aa rahen hain wo thek hoga
tab usse uski dadi se sirf ek hi jawab milta tha

Dadi:- jis din bhavishyani ke sach hone ka pehla sanket milega samjh jana hamare dard
aur dukh ke din beetne ka waqt bohat jald aane wala hai isse zyada dadi ne Analia ko
kabhi kuch nahi bataya
Analia:- sach dadi ye wahi sanket tha jiski aap hamesha se baatein karti thi

Dadi:- haan beti ye wahi sanket hai aaj hum sab ke udhaar karta ne apni asliyat pehchaan
li hai aaj unhe unki pehli shakti mil gayi hai ye grah aur iss bramhaand ka har grahussi
khushi me jhooma hai jiski wajah se ye kampan hui thi

(kuch yaad aaya doston ye wahi waqt tha jab hamare hero ko apne Lord of Angel hone ke
bare me pata chala tha jab Vikram ko apni mani power stone mili thi )

Analia:- kaisi shakti aur kaun udhaar karta dadi aaj toh puri baat bataiye

Dadi:- ye baat tumhe swayam hamare udhharkarta hi batayenge tum nahi jante bachhon
ki tumhari peedhi kitni khush kismat hai jo tum unse saak shaat mil paoge ye baate dadi
ne sabki taraf dekh apni puri shakti jod unche awaaz me kahi thi

Dadi:- ab main bhi chain se moksh ko prapt kar paaungi dadi ki baat abhi khatam hui hi
thi ki achanak unka sharir ek roshni me badal Aakash ki taraf jane laga jahan sabhi dadi ki
baat sun khush ho gaye thewahi dadi ko jata dekh sabhi ke aankhon se ek baar aur aansu
beh nikle ki tabhi aahhh aahhh dadi ko roshni me badal duniya chhode abhi kuch hi pal
hua tha ki sabke sharir me kuch lambe cuts aa gaye khoon tezi se nikalne laga sabhi ne
apne haath me pakdi cheez khaayi jaise hi cut gayab hua aur dard kam hua sab apne apne
raaste nikal gaye Analia wahi uss khaat par tiki hui akash ki taraf ek tak dekh rahi thi

Wahi dusri taraf:

Planet: Vrihakh

Place: Batte ground shyan danah vishfotah (air blast) iss mantra ke uchharit hote hi Shaila
jo ki hawa me alga alag cheezon ko uthakar uspe kadam rakhte hue aage aa rahi thi uske
har taraf blast hone lage Shaila iss achanak hue hamle se hadbada gayi tabhi ek blast uske
pair ke neeche jo chiz hawa me usse sahara diye tha uspar pada wo chiz ke parkhache ud
gaye abhi Shaila zameen me takraane hi wali thi ki Akshaant ne usse apni mazboot baahon
me catch kar liya Shaila ko zameen me utaar Akshaant vaayu veg se blast karne wale ki
taraf doude (pratti chaya) (shadow) Akshaant ke takrane se pehle hi blast karne wale ne
ye mantra bol diya mantra bolte hi uska sharir ek parchai me badal gaya aur Akshaant
uske aar paar nikal gaye Akshaant ki speed kafi zyada thi unhone apni eddi ko ghiss kar
khud ko rokna shuru kiya par isse pehle ki wo puri tarike se rukte (kutay antram) (trap)
arre waah ek aur mantra par ye kya ye mantra uss blast karne wale ne nahi uske dusre
saathi ne bola tha dhamm iss mantra ke uccharit hote hi Akshaant ke saamne ek bada
gaddha ban gaya jisme wo dhamm ki awaaz ke saath gir gaye soobh soobh blast karne
wale aur uske saathi ne saamne ki taraf dekha dono ke saamne Mokalsar apne haathon
me pakde talwar ko tezi se ghuma rahe the (agni prakatam) Mokalsar ke aisa bolte hi
hawa jise talwar ghumane ki wajah se awaaz aa rahi thi usme aag dikhne laga Mokalsar
ne kuch aag apne talwar ke point par rakh saamne ki taraf phenk diya wo aag ek chote
par shakti shaali gole ka roop lekar tezi se aage badhne lagi (jal prakatam) trap spell ka
use karne wale ne ye spell bola uss aag ke gole ke saamne paani ka ek chota par shakti
shaali gola aa gaya aag ke gole ke usse takraate hi aag bhuj gayi Mokalsar ne aur tezi se
apni talwar ghumani shuru ki kuch hi seconds me unke talwar ke saamne achi khaasi aag
aa gayi Mokalsar ne ek ke baad ek kayi baar apne haath ko jhatke diye kai saare aag ke
gole line se saamne ki taraf tezi se jane lage saamne wale ne fir se paani ka awaha kiya
par iss baar uss paani ki maatra aur shape dono zyadi thi dekhte hi dekhte uss shaksh ke
saamne paani ka ek bada sa aayna ban gaya chashhh aag jaise hi paani ke aayne se takrayi
ek tez aawaz se aag bhujh gayi par iss baar aag ke bujhte hi hawa me bohat saara dhua
ho gaya (netra pravishati) (enter eyes) saamne wale ne dhuen ke taraf haath badha ye
mantra bola dhuen ne ek teer ka aakar liya aur tezi se Mokalsar ki aankhon me ghus gaya
Mokalsar ko apni aankhon me tez jalan mehsoos hui uski pakad talwaar se chhoot gayi
Mokalsar ne apni aakhen masalna shuru kar di par ye kya talwar Mokalsar ke haathon se
chhuti zaroor par giri nahi talwar hawa me latki hui hai talwar ke chhutete hi blast wale
bande ne haath aage kar talwar ko hawa me hi rok diya tha (samprasarayati) (stretch) uss
bande ne talwar ko dekh iss spell ko bola dekhte hi dekhte talwar ki motai kam hone lagi
uski jagah uski lambai badhne lagi kuch hi palon me wo talwar lambi hoti hui ek steel ki
rassi me badal gayi (valayi bhavati) (become a circle) wo steel ki rassi ghumte hue
Mokalsar ko lapetne lagi Mokalsar ko jab iss baat ka ehsas hua toh unhone khud ko
chuddane ki koshish ki par kaamiyab nahi ho paye kuch hi palon me uss rassi ne Mokalsar
ko apne andar puri tarike se lapet liya Mokalsar neeche gir gaye girte hi Mokalsar ne apni
ek ungli jo halki si bahar thi usse hilaya ungli ke hilkaate hi rassi hat gayi adbhudd dono
ne jab peeche palat kar dekha toh Akshaant chehre par muskaan liye taali bajate hue unki
taraf aa rahe the abhi wo kuch kehte ki unhe fir apne peeche se taaliyon ki awaaz sunayi
di ye Shaila aur Mokalsar the jo taali bajaate hue unki taraf aa rahe the

Shaila:- Ronit Anjali hume tum dono par garv hai bohat jaldi tumne itna sab sikh liya

Mokalsar:- haan par wapas jaakar abhyaas karna mat chhodba ek baat hamesha yaad
rakhna abhyas na karna uss talwar ki tarah hai jispe zung lag chuki hai

Akshaant:- haan aur shakti prapt karne ki koi seema nahi hai jitna abhyas karoge tumhare
hunar aur utne nikhrenge Ronit aur Anjali aage badhe aur jaise hi wo apne teeno Guruon
ke pair chhune ko hue teeno ne dono ko upar uthakar baari baari gale lagaya wahi unse
bohat door koi aur bhi tha jo ye sab dekh aur sun muskura raha tha

Akshaant:- tum dono ke jane ka samay aa gaya

Ronit:- aap teeno bhi chaliye naa

Mokalsar:- humara waha kya kaam ki tabhi teeno ke kaano me ek awaaz aayi jise sun
teeno ne ek usre ki taraf dekha

Shaila:- thek hai hum bhi chalenge Shaila ne apna haath aage kiya un sab ke saamne ek
world door khul gaya sab ek ke baad ek uske andar chale gaye

Anjali:- ye toh Mumbai Pune express highway ke paas wale jungle me hai naa

Ronit:- haan par abhi hum Mumbai ke border par hi hain yaha se hamara ghar max 20 km
hoga

Anjali:- toh ab ghar ke paas hi kisi sunsaan area me gayab hokar pahunch jaate hain

Ronit:- arre nahi yaar do mahino se yahi sab toh sikh aur dekh rahe hain ab thoda back to
insaan wale tarike bhi aazma len sabhi chalte hue jungle se bahar aaye Ronit ne jeb se
apna mobile nikala taaki ola book kar sake ki tabhi ek suv unke saamne aakar ruki

Anjali:- uncle aap suv me Anjali ke ghar ka driver tha

Driver:- haan beta aao baitho sabhi car me baith gaye

Anjali:- uncle aapko kaise pata chala ki hum yaha khade hain

Driver:- beta aap ne hi toh Vikram Baba ko kaha tha naa ki aap dono yaha milenge

Ronit:- haan uncle wo hum bhool gaye the

Shaila:- tum dono bhool rahe ho ki tum kiske dost ho main daave se keh sakti hunki bhale
hi wo tumhare saath tumhari training me nahi aaye par unki nazar har waqt tum dono par
rahi hogi Ronit aur Anjali ne haan me sar hila diya fir sabhi aise hi baat karte hue ghar ki
taraf nikal pade

Menakshi Mansion:

Minu:- Martha saare dishes ready hain naa mere bacchon ne do mahino se ghar ka khana
nahi khaya
Martha:- dont worry maam sab ready hai isse ajeeb par khoobsurat baat kya hogi Ronit
aur Anjali Aakash aur Harpreet ke bache hain par unke ghar aane ki khushi unke parents
se zyada Minu aur Jairaj ko thi Vikram ne sabko kal raat hi bata diya tha ki Ronit aur Anjali
kal morning me wapas aa jayenge Minu ne Kavita aur Neha ko bata diya tha ki bache sidha
hamare ghar hi aayenge

Minu:- Vicky beta tere dost aane wale hain aur tu room me ghusa hua hai niche aaja main
iss waqt room me aankhen band kar Ronit aur Anjali ko hi dekh raha tha dono ko teeno
Guruon ke gale lagte dekh mere chehre par muskurahat aa gayi thi mom ki awaaz sun
maine aankhen khol di aur uthkar neeche ki taraf chal diya

Main:- arre mom aap toh aise excited ho rahe ho jaise dono shayadi ke baad pehli baar
ghar aa rahe hain

Mom:- chup kar kuch bhi bolta hai par meri baat sunkar dad aur uncles hans diye

Main:- abhi unhe aane me kamse kam ek ghanta aur lagega toh relax main ye bolkar sofe
par baith gaya kuch der tak main aage kya kya aur kaise karna hai ye sab sochte raha
Power Stone ke milne se meri mushkil kam nahi hui thi spear ab mere andar thi itne
zyaade waqt tak Asmodeus ke paas rehne se spear ke paas bhi uske kafi saare raaz the jo
ab main bhi jaan gaya tha mujhe ek aur ajeeb par kaam ki baat bhi pata chali wo ye ki
spear ne Asmodeus ke dimag ko kuch had tak bhramit kar usse kuch shaktiyon ke bare
me jaanne nahi diya tha par main unke bare me jaan chuka tha kafi der tak main aise hi
alag alag cheezo ke bare me sochta raha fir hata bol dimag jhatak ke mobile ko check
karne laga ab bhai jitni bhi power kyu naa aa gayi hon tha toh ek jawan lounda hi naa time
kab paas hua pata hi nahi chala

A/Mom:- lagta hai bache aa gaye aunty ki baat sun hum sab bahar aa gaye bahar Ronit
aur Anjali unke teeno Guruon ke saath khade the Ronit aur Anjali ne bhi sabse pehle mere
mom dad ke pair hi chue mom dad ne unhe gale laga liya par unhe aisa karta dekh Ronit
aur Anjali ke parents ko bura nahi laga balki wo khush ho gaye ye dekh kar main khush ho
gaya

Main:- (mann main) duniya itni bhi buri nahi hai kaash tum samjh sakte

Dad:- yaartu toh ekdum superfit hokar aaya hai

Mom:- Anjali ka bhi iske haath shoulders ekdum sakht ho gaye hain mom ne Anjali ke
shoulders ko chukar kaha
Ronit:- ye sab hamare training ka kamaal hai sab ek ke baad ek Ronit aur Anjali se mile
dono mujhse bhi gale lage par pehli baar gale lagte waqt mujhe dono me kuch hichak
mehsoos hui aur iska reason bhi mujhe pata tha

Dad:- arre beta aaplog toh wahi hona jo uss din Guru ji ke saath aaye the

Teeno:- ji

Shaila:- Guru ji ne hume in dono ko yaha chhodne ki zimmedari di thi

Mom:- thank u beta

Ronit:- mujhe bhook lagi hai

Anjali:- wahi main sochun ki iss bhukaad ka pet abhi tak bola kaise nahi

Mom:- tu chup kar mera bacha itne waqt tak ghar se door raha hai ghar ko dekh ghar ke
khaane ki yaad toh aayegi hi aa chalo sab andar breakfast ready hai hum sab mom ke
peeche peeche hall me aa gaye as usual khaate waqt baat nahi kar sakte the saala ye Ronit
ne toh aaj 3 logon ka naashta akele hi thoos liya

Main:- mom hum mere room me jaa rahe hain

Mom:- thek hai

Main:- haan toh bataiye aap dono baaton se samjhoge ya laaton se room me pahunchte
hi maine doono se kaha dono question mark wala mouh lekar meri taraf dekhne lage

Main:- tum dono mujhse hichkicha rahe ho kyu ki tumhe meri asliyat maalum ho gayi hai
ab isme meri kya galti jo main hun wo main hun mujhe ye faltu ka respect nahi chahiye
khaaskar tum dono se yeh rahi mudde ki baat samjh aayi ki laat se samjhaun

Anjali:- tu mujhe bhi maarega Anjali ne maasoom sa chahra bana ke bola

Main:- haan maine bhi ussi maasumiyat ke saath jawab diya hamari noutanki dekh
hamare teeno Guru hasne lage hum teeno kuch der tak shaant rahe fir hum bhi hans pade
hum sab idhar udhar ki baaton me busy ho gaye

Wahi dusri taraf: Planet: Monslickel Place: Asmodeus palace

Lilitha:- tumhe kuch pata chala

Abraxas:- nahi tumhe


Abbadon:- nahi samjh nahi aata ki itni badi baat itni urja se bhari shakti ka shroth hamari
nazro se kaise chhup sakta hai? kyu ki ye tumhare bas ki baat nahi hai iss awaaz ko teeno
devils arbo ki bheed me bhi pehchaan sakte the teeno bina awaaz ki taraf palte hi apne
ghuto par jhuk gaye iss awaaz ka maalik Asmodeus tha jo chalte hue teeno devils ko cross
kar aage nikal apne raaj gaddhi par baith gaya

Asmodeus:- kya hua kaise hua kyu hua ye sab sochna tumhara kaam nahi hai pichle kuch
waqt se angels ke mukable tumhare kaam ki gati me girawat hui hai aisa dobara na ho
akhri line bolte waqt Asmodeus ki awaaz itni bhaari thi ki teeno devils ki kaalo rooh kaamp
gayi apni baat khatam kar Asmodeus ek baar fir se gayab ho gaya

Planet: World of the Warriors: Place: Odridge mountain:

arre ye kya ye sabhi warriors ko kya hua sabhi ke sabhi pehle ke mukabale aur takatwar
dikh rahe hain par ye kar kya rahe hain

Heinsberg:- kitne saal ho gaye tum logon se ek pahad thek se khud nahi raha hai

Warriors:- sena pati Jina Jane iss pahad ke pathar itne sakht kaise ho gate hain inpar
hamare kisi bhi kiye gaye chot se fark nahi pad raha hai

Heinsberg:- mujhe koi bahana nahi sunna afar jaldi hi humne iss pahad ke andar chupe
chattan ka mouh nahi khola toh maharaj hum sab ko suli par chadha denge bina koi
expression diye wo warrior bina kuch bole wapas kaam par lag gaya aisa lag raha tha jaise
uski aur waha moujud sabhi warriors me koi feelings hi nahi bachi ho

tum meri ummidon par khare nahi utar paye ussi mountain ke upar Defender adrishya
hokar khada tha aur warriors ke kaam ko dekh raha tha apne peeche se aawaz sun jaise
hi wo palta turant jhuk gaya

Defender:- main puri koshish kar raha hun Maha Mahim par ye chataan ka mouh khulta
hi nahi maine apni puri shakti laga di par abhi tak main kamiyab nahi ho paya hun

Asmodeus:- naa kamiyabi kamzoron ki nishani hai Defender aur Asmodeus kamzoro se
sakht nafrat karta hai khair main janta hun ki tum apni taraf se puri koshish kar rahe ho
issliye main tumhe ek jeeven daan deta hun par mujhe natija chahiye wo bhi jald se jald

Defender:- main aapka sadev aabhari rahunga Maha Mahim Defender gaayab ho gaya

Asmodeus:- bohat jald mulakat hogi mere bhai urfff Vikram Jairaj Singh

Planet: Isla
Place: King's bedroom

Solomon:- kya itni badi baat aur aap hume ab bata rahi hain

Alesendra:- hum majbur the pita shri Vikram ke Lord of Angel bante hi jo jhatke lage the
unse Isla bhi achuta nahi tha in jhatko ka matlab Alesendra toh samjh gayi thi par uske
father king Solomon in jhatko ki wajah se kafi dar gaye the kyu ki aisa kuch pehli baar hua
tha unke mantri mandal ke dwara unhe ye bhi pata chal gaya tha ki ye jhatke sirf unke hi
grah me nahi lage balki aise hi jhatke bramhaand ke har planet me hue the unhone apne
planet ke sabse kabil Sorcerers se in jhatko ke kaaran ke bare me pata lagane ka aadesh
de diya tha Alesendra ko jab ye baat pata chali toh wo apne dad ko saari sachai batana
chahti thi par St Sebastian ne unhe aisa karne se mana kiya tha St Sebastian ne Alesendra
ko tab tak rukne ke liye kaha tha jabtak ki Vikram holy spirits ko azaad na kara le aur ab
jab Vikram ne ye kar liya tha toh Alesendra turant apne dad ke room me gayi aur unhe
Vikram ke bare me sab bata diya aur ye bhi ki St Sebastian ne unhe batane se mana kiya
tha

Solomon:- hmm Lord of Angel kuch waqt ke liye hi sahi hamare grah hamare ghar me the
yahi hamare liye kisi wardan se kam nahi hai uss waqt hum unke darshan nahi kar paye
toh kya hua hum abhi unke darshan karne jayenge

Ashley:- hum bhi

Alesandra:- nahi maa nahi pita ji bina unki anumati ke unke saamne jana thek nahi aur
waise bhi unhe yaha wapas aana toh hai hi aap tab unse mil lena

Solomon:- kya Lord of Angel punah hamare grah me padharenge

Alesendra:- haan pita jiisla hi unke aage ke safar ki chaabi hai

Solomon:- hum samjhe nahi aap kis bare me baat kar rahi hain

Alesendra:- pita ji ek aur baat hai jo maine aapko ya kisi ko nahi batayi

Ashley:- kaun si baat putri

Alesendra:- ''Fountain of Light'' ye naam sun Solomon aur unki wife Ashley dono shocked
ho gaye aur fir udaas

Solomon:- beta wo toh hamare grah se vilupt ho chuki hai uske bare me tumne kya
chupaya hai
Ashley:- haan beti aur fountain ke gayab hone ka kaaran bhi toh wo devil Asmodeus hi hai
jaise hi uski manhoos zubaan par fountain ka naam aaya fountain gayab ho gayi ye bolte
waqt Ashley ke chehre par zamaane bhar ki nafrat aur dard dikh raha tha

Alesendra:- ye sach nahi hai maa pita ji agar fountain of light hamare grah se vilupt ho
gaya hota ya jaa chuka hota toh hamara grah bhi nasht ho chuka hota Alesendra ki baat
sun kar uske mom dad shocked ho gaye

Solomon:- ye tum kya keh rahi ho putri tumhare kehne ka arth hai ki fountain ab bhi
hamare hi grah me hai

Ashley:- aur fountain ke hone naa hone ka hamare grah par kaise koi prabhaav pad sakta
hai

Alesendra:- pehle aap batayiye ki aap dono ko fountain of light ke bare me kya pata hai?

Solomon:- yahi ki uss fountain ka janm hamaare grah ke saath hi hua tha uski roshni agar
kisi bhi rogi ko chu jaye toh uss rogi ka saara rog mit jata tha par uss fountain ke ek had
tak hi paas jaaya jaa sakta tha uss had ko cross karne wale kisi bhi shaksh ka sharir jal jata
tha yahi uss fountain ki kahani hai jo hamare purvajo se hum tak pahunchi hai aur humne
tumhe bhi batayi hai fir tum uss fountain ke bare me jo ki sadiyon pehle achanak hi vilupt
ho chuka hai uske bare me aur adhik kya janti ho

Alesendra:- jaisa ki maine pehle bhi kaha hai pita ji ki fountain vilupt nahi hua hai wo
hamare hi grah me ussi jagah par aaj bhi moujud hai bas usne khud ko adrishya kar apne
aap ko chhupa liya hai Alesendra ki baat sun uske mom dad fir se chonke

Ashley:- putri jo bhi baat hai wo aap hume vistaar me bataayen

Alesendra:- awashya maa par usse pehle main aap dono se ek antim prashn puchna chahti
hun kya aapko pata hai ki hamare grah Isla ka janm kaise hua tha?

Solomon:- itna hi ki hamara grah kisi anya grah ke sakaratmak (positive) urja se bana hai

Alesendra:- kya aap uss grah ka naam jante hain

Dono:- nahi hamare kabil sorcerers aur khojkartaon ne uss grah ka pata lagane ki bohat
koshish ki par naakamiyab rahe

Alesendra:- graham maya Alesendra ke mouh se ye do shabd sun Solomon aur unki patni
ko ek zor ka jhatka laga graham maya ek aisa spell jiska safalta purvak istemaal aaj tak sirf
ek hi shaksh kar paya hai ya yun kahu ek hi devil naam toh aap ab samjh hi gaye honge
Alesendra:- ji pita ji ye sach hai issi spell se Asmodeus ne uss grah ko ek banjar grah ke
andar chhupa diya hai iss bramhaand me carodon banjar grah hain issliye uss grah ko
dhundna lagbhag asambhav hai yaha tak ki iss wajah se grah bindu jinki madad se world
doors open karne ka magic kaam karta hai wo bhi uss grah ko dhund nahi paa raha hai

Solomon:- uss grah ka naam kya hai?

Alesendra:- Courious

Ashley:- tumhe itna kuch kaise pata chala?

Alesendra:- Fountain of Lights se usne khud mujhe ye sab bataya hai ye Alesendra ke
parents ke liye ek naya jhatka tha

Solomon:- kab kasie?

Alesendra:- ye baat tabki hai jab fountain ko gayab hue ek varsh ho chuka tha main
bhraman karte hue ussi aur chali gayi thi jahan fountain tha jaise jaise main fountain wali
jagah ke nazdeek jaa rahi thi mujhe aisa lag raha tha jaise mujhe koi uss fountain ke aur
kareeb bula raha hai jab main fountain ke kareeb pahunchi maine dekha ki fountain wali
jagah par theek beech me ek diya hawa me tair raha hai jigyasa purv main uss diye ke
kareeb chali gayi aao Alesendra main tumhari hi pratikhsha kar rahi thi

Alesendra:- awaaz sun mujhe thoda dar laga main idhar udhar dekhne lagi daro mat
Alesendra main tumhe koi haani nahi pahunchaungi aur idhar udhar nahi saamne dekho
tumhare saamne jo diya hai main wahi hun

Alesendra:- tumm kaun ho aur mujhe kaise janti ho?

Diya:- Isla ki raj kumari ko kaun nahi janta aur rahi meri baat toh main wahi fountain hun
jo yaha raha karti thi ye sun mera dimag ghum gaya

Alesendra:- kya sach me fir ab aapko kya hua kya apka yaha ka samay kaal samapt ho gaya

Diya:- mujhse hi tumhare grah ka astitva hai Alesendra agar main yaha se chali gayi toh
ye grah bhi nasht ho jayega

Alesendra:- phir aap pehle ki tarah fountain ban kar kyu nahi reh rahi hain

Diya:- Asmodeus ki wajah se

Alesendra:- shocked matlab diya ne koi jawab nahi diya balki uss diye ke andar se ek aur
diya nikla aur meri taraf badh gaya aur theek mere saamne aakar ruk gaya
Diya:- Alesendra iss roshni ko apne andar samaane ki ijaazat do tumhare sabhi prashno
ka uttar tumhe mil jayega jaise hi maine uss diye ko ijazat di wo mere andar sama gaya
mujhe uss fountain ke bare me sab kuch pata chal gaya ye bhi ki courous me kya kya hua
hai aur ye jaan kar mere aankhon se aansu nikal aaye

Alesendra:- uss maha paapi ka naash kab hoga? kya wo yunhi be kasuro aur God ke
bhakton ko tadpata aur maarta rahega abhi mere aankhon se aansu ki pehli bund hi nikli
thi ki mera rona band ho gaya mere aankhon ki putliyan faile gayi iske do kaaran the

1st:- jo diya fountain ki jagah khada tha wo ek jhatke me roshni me badal wapas fountain
of light ke roop me aa gaya

2nd:- jaise hi fountain apne asli roop me aaya samay chakra ruk gaya samay chakra ke
rukte hi uss fountain ke beech me ek roshni ki parchayi ubhri aur uss parchayi se ek awaaz
aayi jo ki ek bhavishyavaani thi

Bhavishyavaani:- jo chakra ruk gaya hai wo firse ghumega kaaldev ko wahi maarega jo
mujhe dhundega

Bhavishyavaani khatam hote hi fountain gayab ho gayi fountain ke gayab hote hi samay
chakra firse ghumne laga main bhi wapas mehel aa gayi

Solomon:- toh tumne hume tabhi ye saari baatein kyu nahi batayii

Alesendra:- diye ne mere andar pravesh karte hi sabse pehle mujhe yahi kaha tha ki sahi
waqt aane tak main uski kahi gayi koi bhi baat kisi ko naa bataun angel lord ke aate hi
main samjh gayi ki aapko sach batane ka sahi waqt aa chuka hai issliye maine aapko aaj
saari haqiqat batayi

Solomon:- waise fountain ne Courious grah ke bare me kya kya bataya tumhe? fir
Alesendra apne mom dad ko Courious ke bare me sab kuch vistaar se batane lagi joki aap
sab ko baad me pata chalega

Back to hero:

tum mujhse kuch kehna chahti ho naa?

Shaila:- tumse koi baat chhup toh sakti nahi fir puchte kyu ho subah ke 6 baj rahe hain
hum sab hamare morning adde par yaani ki garden par jogging aur baaki ke exrercises
khatam karke just baithe the kal se hi Shaila mujhse kuch kehna chah rahi thi par keh nahi
paa rahi thi main janta tha ki wo kya kehna chahti hai par main wait kar raha tha uske
mujhse uski baat kehne ki par thodi der baad Shaila Akshaant aur Mokalsar waapas jane
wale the ab tak wo hichak hi rahi thi issliye maine baat chhed di

Main:- kya karun akhir hun toh insaan hi sawal puchne ke baad hi jawab dene ki aadat hai
sabhi hamari baat sun rahe the Akshaant aur Mokalsar toh Shaila ke sawal ke bare me
jante hi the par Ronit aur Anjali aankhen faade hum dono ki taraf dekh rahe the kyu pata
chal jayega

Shaila:- wo maine tumse kuch kaha tha naa? aur ab toh tumhe ye bhi pata chal gaya hoga
ki main kya chahti hun

Main:- hmm mujhe yaad bhi hai aur pata bhi hai tum fikr naa karo bohat jald tumhe aakar
surprise dunga

Shaila:- sach ye bolkar Shaila mere gale lag gayi

Ronit:- kutte kamine haramkhor

Main:- abbe tujhe kya hua

Anjali:- tune itni badi baat humse chupai

Shaila:- kaisi baat

Anjali:- ye bhi hum hi batayen

Shaila:- toh aur kaun batayega

Ronit:- tum dono ne setting kar li aur hame bataya bhi nahi

Anjali:- chiii kaisi language use kar raha hai tu aur tum dono tum dono couple ho aur hume
bataya tak nahi waha unki baat khatam hui yaha hum charon ki hasi chhut gayi hame
haste dekh dono aur chidh gaye

Ronit:- saale tere daant tod dunga

Main:- abbe tujhe toh khush hona chahiye aaj tak tere jokes par bhi main nahi hasa aur
aaj teri serious baat pe hasi aa gayi

Dono:- matlab

Shaila:- matlab ye ki hum dono sirf dost hain aur abhi jo hamare beech baat ho rahi thi
wo ye thi ki main Vikram ko kisi kaam ke bare me bata rahi thi joki usse pura karna hai
samjhe lallu
Main:- haan aur rahi baat couple ki toh main toh abhi Shaila ko propose kar dunpar fir iski
aur Akshaant ke chakkar ka kya hoga ab tak jahan Akshaant aur Shaila hans rahe the meri
baat sun dono ke mouh sukh gaye

Mokalsar:- kya itni badi baat tum dono ne mujhse chhupai

Akshaant:- tujhe kaise maalll Akshaant bolte bolte ruk gaya jaise usse yaad aaya ho ki wo
ek betuka sawal puchne jaa raha tha

Shaila:- tu bohat bada kamina hai Vikram

Main:- arre shukra mana mera aaj meri wajah se tum dono ki dil me chhupi baat bahar
aayi hai par izhaare mohhobat aur aage ka romance apne grah par samjhe thodi der tak
hum un dono ko yunhi chhedte rahe

Akshaant:- chalo fir hum chalte hain kal raat ghoom ke aane ke baad hi teeno ne mom
dad se keh diya tha ki wo teeno early morning nikal jayenga mom ne unhe aur kuch din
rukne ke liye kaha tha par unhone ye bol kar mom ko mana liya ki unke ghar par sab
pareshan honge main Shaila ke paas gaya aur uske sar par haath rakh di mere haathon se
adrishya roshni nikli aur uske andar sama gayi yahi maine Akshaant aur Mokalsar ke saath
bhi kiya

Shaila:- mujhe kafi halka halka lag raha hai

Mokalsar/Akshaant:- hume bhi

Main:- maine tumhare shakti chakra ko tez kar diya hai ab tum teeno jab bhi abhyaas
karoge toh uss vidhya ke naye samikaran aur tarike tumhe dikhne lagenge aur unka
adhayan bhi tum 10 guna tezi se kar paaoge

Akshaant:- iski kya

Vikram:- tumhare nishchal mann ki wajah se tumhe ye tohfa mila hai tum isse deserve
karte ho issliye koi sawal nahi ab tum teeno jaa sakte ho

Shaila:- haan par uske liye koi aisi jagah jaani padegi jahan hum world door khol saken
yaha toh kafi log hain

Main:- uski zaroorat nahi hai meri baat se teeno ke chehre par sawal aa gaye par agle hi
pal un teeno ke saath Ronit aur Anjali bhi chonk gaye mere seene ke thek beech me pocket
ki size ka ek world door khul gaya tha
Shaila:- adhbhudd kya ye world door hai main bas muskura diya

Ronit:- abbe isme se ye jayenge kaise?

Main:- tum dono mujhe aage cover karo Ronit ur Anjali mrere se 3 feet door aage khade
ho gaye

Main:- Shaila mere saamne aao Shaila mere saamne aa gayi

Main:- iss door pe ungli rakho jaise hi Shaila ne mere seene ke beech jo door khul gaya
tha uspe ungli rakhi wo ek roshni me badal usme sama gayi Shaila ke baad Akshaant aur
Mokalsar ne bhi aisa hi kiya kuch hi palon me teeno apne grah me the maine apne chest
par haath ghumaya world door band ho gaya

Main:- mouh toh band karo re dono mere bolne se Ronit aur Anjali jo ki mouh khole ye
sab dekh rahe the hosh me aaye

Ronit:- abbe saale tu kya kya kar sakta hai

Main:- ab toh tum dono mere saath hi rahoge naa sab pata chal jayega abhi ke liye ghar
chalen

Ronit:- haan yaar chal fir college bhi toh jana hai

Main:- oh shit main tum dono ko batana hi bhul gaya

Ronit:- kya saale hamare admissions toh ho gaye hain naaki bhul gaya karwana

Main:- abbe sab karwa diya hai main toh ye batana bhul gaya ki aaj hamari freshers party
hai toh aaj college nahi hai

Anjali:- whattt itni badi baat tu ab bata raha hai kaahe ka Lord of Angel hai tu

Main:- abbe ye koi itni badi baat hai kya ki tu Lord of Angel wali logic ghusa rahi hai

Anjali:- arre aaj hi freshers party hai aur abhi tak humne shopping bhi nahi ki main kya
pehenkar party me jaaungi

Main:- hath maar khaan Jogiya fitte mouh tera ye koi bohat badi problem hai kya maals
khulte hi jaakar le lena

Anjali:- le lena matlab tum dono bhi mere saath jaoge samjhe

Ronit:- haan meri maa samjh gaye chal Vj hum naha waha ke aate hain
Main:- cool maine dono hug kiya aur hum apne apne ghar ke liye nikal gaye

Menakshi Mansion:

Main:- good morning everybody

Nanu:- goodmorning beta aaja naashta kar main naha kar jaise hi neeche aaya toh sabhi
dining table par baithe hue the main naanu ke side me baith gaya

Nanu:- toh aaj se mera bacha college jayega bacha nahi nanu bacche abhi main kuch
jawab deta isse pehle hi saamne se aa rahe Ronit bhai sahab ne apna mouh khol diya

Nani:- bilkul theek hamaare bacche aaj se college jayenge

Anjali:- aaj college jayenge zaroor par raat me aaj hamari fresshers party hai classes kal se
lagenge

Dad:- aur issi khushi me tum teeno ke liye ek surprise hai

Ronit:- surprise kaisa surprise?

Mom:- pehle naashta karlo baaki baatein baad me hum sabne chup chaap nashta kiya

Dad:- chalo sab bahar naashta khatam karke dad ne hum sab se kaha hum jaise hi bahar
aaye hum teeno ki khushi ka thekana nahi raha hum teeno ke saamne do bugatti veyron
aur ek porsche 911 khadi thi

Dad:- bugatti tum dono ke liye aur porsche meri gudiya ke liye Ronit aur Anjali jhat se
jaakar dad ke gale lag gaye unke baad meri baari aayi main bhi muskurata hua dad ke gale
lag gaya mere muskurane ki wajah cars nahi thi darsal jo cars dad ne mere aur Ronit ke
liye lai thi mujhe aur Ronit hum dono ki hi wo fav me se ek thi par asal baat ye thi ki ye
car Indian market me thi hi nahi dad ne isse USA se import karane ke liye ek crore par car
zyada diya tha

Main:- u are the best father in the universe dad

Dad:- and u are the best son in the universe

Anjali/Ronit:- aur hum

Main:- worst aur issi ke saath shuru hui meri kutai jo ki pyaar pe bhi bhaari thi

Dad:- bas karo tum log aur jao freshhers party ke liye shopping kar aao

Ronit:- black wali meri tu red chala


Anjali:- main apni car raat ko hi nikalungi abhi tum dono ke saath kaam chala leti hun
Anjali ki baat sun sabhi hans diye maine Anjali ko Ronit ke saath baithne ko kaha aur main
apni wali me baith gaya aur hum nikal gaye fresshers party ki shopping karne

Freshers party Place: College Art House

woww what car's man party hall ke bahar jitne bhi students khade the ek ke baad ek unke
saamne se teen cars nikli jise dekhkar unke mouh se ye sab apne aap nikal gaya car rukte
hi jaise hi hum teeno bahar niklehi mujhe dekhkar ladkiyon ke dil dhaak kar gaye aur Anjali
ko dekhkar ladko ki aahen nikal gayin hum teeno hi half formal half funky getup me the
meri jacket meroon colour ki thi Ronit ki blue aur hamari barbie doll Anjali red long dress
pehni hui thi nice decorations yaar bohat claasy dikh rahe hain Anjali art house ki
decorations ke taraf dekhte hue boli

Main:- Mumbai ke best college ka Art House hai uspe freshers party decorations toh ache
honge hi par lagta hai aaj tujhe koi dusra decoration bhi kafi pasand aaya hai par tu ne
abhi tak uski taarif nahi ki

Anjali:- koun se decorations

Main:- Ronit ke I mean uska get up main shuru se notice kar raha hun tu usse baar baar
dekh toh rahi hai par bol nahi rahi

Anjali:- tu bhi naa kuch bhi bolta hai aisa kuch bhi nahi hai hum dono thoda dheere baat
kar rahe the Ronit ko hamari baatein sunayi nahi de rahi thi

Main:- dekh le kahi koi aur na taarif karde aur hamare Ronit bhai sahab ko le ude

Anjali:- aise kaise? Anjali ke mouh se ye shabd achanak nikal gaye bolne ke baad Anjali ka
chehra sharm se laal ho gaya main bhi hasta hua aage badh gaya waise ek baat toh thi
training ka Ronit ke body figure par kafi asar hua tha banda kafi fit ho gaya tha aur smart
bhi

Ronit:- ab yahi khade rehna hai ya andar bhi chalen abhi hum apni car ko cross karne hi
wale the ki ek red ferrari tezi se hume cross kar ke aage nikal gayi ek left drift maarte hue
wo ferrari humse kuch door left side park ho gayi

Anjali:- show offf

Ronit:- iski maa ka kaun hai be saale ko abhi dekhta hun


Main:- relax jane de humare saath saath sabhi ki nazar uss car ki taraf mud gayi thi aur
jaise hi uss car ka door khula waha khadi ladkiyon je dil fir dhadak uthe wo banda hume
muskurakar dekhte hue andar hall me chala gaya

Anjali:- isse kahi dekha hai

Ronit:- haan mujhe bhi aisa hi laga

Main:- ye wahi ladka hai jo uss din hamare school me aaya tha jiske bando ne tum dono
ke saath badtamizi ki thi Digvijay Singh Bagga aur isse pehle ki tum dono bhadko ye mat
bhoolo ki ab tum dono pehle se alag hain aur ye choti moti baaton me ulajhna tumhe suit
nahi karta ab chalo andar hum teeno andar ki taraf chal diye maine in dono ko toh samjha
diya tha par abhi abhi jo mere saath hua tha main khud usme ulajh gaya tha hua ye ki jaise
hi Digvijay ne meri taraf dekha mere seene ke beech me ek tees si uthi jo ki mere andar
chupe spear ki wajah se hui thi ye mere saath pehli baar hua tha aur jaise hi maine Digvijay
ki aankhon me jhaanka mujhe uske andar bas ek kaala dhuaan aur aag dikhi jiska matlab
tha ki Digvijay bhi ek devil hai

wow yaar awesome Anjali ki awaaz se mera dhayan toota hum art hall ke andar aa gaye
the maine filhal ke liye iss matter ko dimag se jhatak diya

hello everybody how are u all this evening awaaz sun hum sabka dhayan saamne ki taraf
gaya jahan ek beautiful si ladki stage par khadi thi

Host:- boys & girls this iss Sanjana host for ur freshers party well well maanna padega aaj
toh yaha sab ek se badhkar lag rahe hain lagta hai aaj ka Mr fresher aur Miss fresher
dhundna thoda mushkil hoga ji haan doston aapne sahi suna aaj aap main se ek lucky boy
Mr fresher banega aur ek lucky ladki Miss fresher banegi par iss baar ke Mr aur Miss
fresher alag alag nahi balki as couple decide kiye jayenge toh hoga kuch yun ki aap sab as
couple hamare paas apne naam register karwaayenge uske baad aapko apne partner ke
saath yaha stage me aakar ek ramp wall karna hai hamare judges decide kare ge ki who's
the hottest couple aur wo dono hi aaj ke Mr & Miss fresher ban jayenge so are u ready
guyz sab taraf hooting hone lagi

excuse me maine palat kar dekha toh mere peeche kuch ladkiyan khadi thi

Main:- yes

Ladki:- can we as a couple & participate in this contest


Main:- sorry babes am not interested uske baad kayi ladkiyon ne mujhe approach kiya par
sabko same amswer mila wahi dusri taraaf

Ronit:- ye saddu kisike haath nahi aane wala Anjali chal naa hum dono apna naam register
karwaate hain

Anjali:- nahi yaar mujhe bhi interest nahi hai

excuse me kya hum as a couple register karwa sakte hain Ronit ne palat kar dekha ek hot
si ladki uske saamne khadi thi

Anjali:- sorry par ye mere saath register kar rahe hain isse pehle ki Ronit koi jawab deta
Anjali ne uss ladki ko jawab de diya aur Ronit ka haath pakad dono ke naam register
karwaane le gayi

Sanjana:- so all the names have been registered & now show time ek ke baad ek saare
couples stage par ramp karne aane lage sabhi ek se badhkar ek the kuch der baad Ronit
aur Anjali ka bhi number aaya dono ki jodi kamaal lag rahi thi dono ke walk par bohat
zyada hooting hui dono ramp walk karke mere paas aakar khade ho gaye dono ke baad
bhi kuch aur jodiyon ne walk kiya par hum teeno apni baaton me mashgul ho gaye kuch
der baad

Sanjana:- woww maza aa gaya sabhi jodiyan ek se badhkar ek thi par winner toh sirf ek hi
couple ho sakta hai aur uss lucky couple ka naam hamare judge batayenge

Judge:- well honestly waise toh sabhi couples kafi ache the par do couples baaki sab pe
bhaari the par kuch baarikiyon ki wajah se ek couple dusre se ek point aage nikal gaya par
main runner up ka bhi naam batana chahunga kyu ki unhone winners ko kafi tough
competition diya hai so the runner up are Ronit & Anjali mujhe iss baat se thoda dukh hua
ki mere dost jeet nahi paye par ye dono issi me khush the dono khushi khushi stage par
chale gaye jahan unhe runner up ki trophy mili trophy le dono wapas mere paas aa gaye

Judge:- now time to announce the name of this years Mr & Miss fresher boys & girls put
ur hands together for aur jaise hi Judge ne winners ka naam bola hum teeno shocked ho
gaye winners ne apni trophy li sabko thanks kaha aur hamari taraf hi aane lage Vikram
Jairaj Singh right uss bande ne mere paas aakar kaha

Main:- yes

Banda:- kafi suna hai tumhare bare me hi I’am Digvijay & she iss my girlfriend Avantika
Planet: Earth Place: Balbeer Mansion

kya hua dad? aap kuch pareshan dikh rahe hain morning ka waqt hai Digvijay ready hokar
jaise hi apne room se bahar aaya saamne hall me apne dad ko akele baith kar kuch sochte
paya Balbeer ke chehre par pareshani saaf dikh rahi thi jise Digvijay ne bhaamp liya

Balbeer:- haan beta pareshan toh main hun

Digvijay:- dad aap uss Vikram ki tension chhod dijiye main usse handle kar lunga aur ye
tension bhi chhod Digvijay ki bhai ki tarah main bhi josh me aakar kuch galat kadam utha
lunga main jo bhi kar raha hun aur aage jo bhi karunga soch samjh kar karunga

Balbeer:- main janta hun beta tu sab sambhaal lega

Digvijay:- than whats the problem dad?

Balbeer:- mujhe tere shakti ki fikr ho rahi hai

Digvijay:- matlab

Balbeer:- tune jo shakti praapt ki hai usse tere andar pahunch kar kaali shakti me badal
jaani chahiye thi aisa hua bhi hai par puri tarike se nahi tu iss bramhaand ka pehla aisa
devil hai jiske andar black ke saath white energy ke bhi lakshan hain

pehla nahi dusra awaaz sun kar dono baap bete chonk gaye par unke chonkne ki wajah ek
nahi do thi

1st:- Balbeer bohat ache se janta tha ki ye awaaz kisi ki hai wo bina saamne dekhe hi fauran
apne ghutno par baith gaya par Digvijay pehli baar apne saamne khade shaksh ko dekh
raha tha wo apni jagah par khada apne saamne khade shaksh ko dekhta raha haan ek baat
thi Digvijay apne saamne khade shaksh ki personality se kafi impress hua tha

2nd:- Balbeer aur Digvijay ab apne ghar par nahi the jaise hi unke kaano me awaaz padi
unki jagah bhi badal gayi jagah kya planet hi badal gaya

Planet: Monslickel Place: Asmodeus palace

Digvijay:- kaun ho tum? aur hum yaha kaise aa gaye Digvijay ne roubdaar awaaz ke saath
bola chataakk ye thappad Asmodeus ne Digvijay ko nahi maari thi balki Balbeer ne maari
thi

Balbeer:- gustaakh tu janta bhi hai ki tu kiske saamne unchi awaaz me baat kar raha hai
ye hamare devil lord hain inse hi hum saare devil's ka astitva hai maha mahim ye abhi
bacha hai please isse maaf kar dijiye Balbeer ne wapas apne ghutno pe baith haath jod ye
baat kahi Asmodeus ne Balbeer ko haath se ishara kar khade hone ko kaha wahi Digvijay
ko Balbeer ka usse maarna bardasht nahi ho raha tha bhale hi Balbeer uska baap tha par
ye thappad usse khudka apmaan lag raha tha ye parivartan Digvijay ke andar moujud
white aur black energies ke lagatar aapas me takraane ki wajah se aa raha tha is takraav
se Digvijay ka ehemuska ghamand uske rishton par bhaari pad raha tha

Asmodeus:- apmaan mrityu se bada shraap hota hai Digvijay abhi Digvijay apne gusse ko
kaabu me karne ki koshish kar hi raha tha ki Asmodeus ki baat ne uske ghusse ki aag ko
hawa de di wahi Digvijay ke baaju me khada Balbeer Asmodeus ki baat ka matlab samjhne
me laga hua tha aahhh yee kya a kar diya main teraa baap hun aahh isse pehle ki Balbeer
Asmodeus ki baat ka matlab usse puch paata Digvijay ke haathon me ek aag ka gola dikhne
laga jise usne apne pita ke upar fek diya Digvijay ke andar ab apaar shakti thi uske dwara
kiya gaya koi bhi humla koi bhi vaar pehle se ab 1000 guna zyada shakti shaali tha Balbeer
fati aankhon me aasharya aur dard liye jal gaya uske jalte hi uske sharir se ek kaali rooh
nikli aur Asmodeus ki taraf chal di par Asmodeus ne uss rooh ko haath dikha kar rukne ka
aadesh diya rooh wahi ruk gayi

Asmodeus:- mere paas aao Digvijay Asmodeus ke bulane par jaise jaise Digvijay aage
badhne laga usse aisa laga jaise wo kisi shakti ke samandar ke paas jaa raha hai Digvijay
iss waqt Asmodeus se kuch 4o feet ki doori par tha abhi Digvijay ne kuch 20 feet ka faasla
hi tay kiya tha ki wo thakne laga aur agle 10 feet tak aage chalne ke baad toh uske sharir
me taakat hi nahi bachi wo wahi baith gaya aur zor zor se haafne laga Asmodeus khada
hua aur chalte hue Digvijay ke paas pahunch gaya

Asmodeus:- nadi kitni bhi badi kyu na ho jaye usse ye nahi bhoolna chahiye ki uska astitva
samandar se hi hai Digvijay ko Asmodeus ki baat ka matlab pata chal gaya th aaur in kuch
hi palon me usse Asmodeus ki aseem shaktiyon ka bhi abhaas ho gaya tha aur pehli baar
Digvijay ka sir Asmodeus ke saamne samman me jhuk gaya Asmodeus ne Digvijay ko
khade hone ko kaha Digvijay khada toh ho gaya par ab bhi uska sar neeche hi tha
Asmodeus ne Digvijay ke sar par haath rakha Asmodeus ko Gluto ke gufa me kya kya hua
wo sab dikhne laga jise dekhkar Asmodeus ko shock laga Asmodeus ko shock lagna koi
chhoti baat nahi thi bohat kam aisi cheeze hongi jo Asmodeus nahi janta tha Asmodeus
ne Digvijay ke sar par haath yunhi nahi rakha tha iske peeche ki wajah thi ab se kuch lamhe
pehle Digvijay dwara prakat ki hui agni nahi samjhe naa chaliye samjhata hun jaisa ki
aapko pata hai ki devils ki ennery balck energy kehlaati hai devils jo bhi spells bolte hain
ya soch kar istemaal me laate hain uss spell se nikli koi bhi cheez bhale wo paani ho ya
aag sab ke andar ek black dhua hota hai jo har koi nahi dekh sakta par Asmodeus ki baat
alag thi jaise hi Digvijay ke haath me mout ki agni aayi uss agni ke andar bhi black dhua
tha par sirf aadha uss black dhuen ko ek white dhua ne jo ki white energy ka pratik hai
apne me lapeta hua tha issi wajah se Balbeer ka sharir kuch zyada hi jaldi jal gaya ye baat
Asmodeus ne dekh li thi issliye usne iska raaz janane ke liye Digvijay ke sar par haath rakha
tha

Asmodeus:- (mann main) itni badi shakti mere nazron se kaise chhup gayi Asmodeus ne
phir se apni aankhen band ki par agle hi pal uski aankhen naa sirf khuli balki aur faile gayin

Asmodeus:- (mann main) ye sab ho kya raha hai na toh mujhe un diamonds ke shakti
shroth ka pata chal raha hai aur na hi main un diamonds ko dekh paa raha hun Asmodeus
ne apne dimag ko jhatka aur apne mann main 3 naam liye agle hi pal Asmodeus ke saamne
baaki ke teeno devils sar jhukayee prakat hue

Asmodeus:- Abraxas Cecilia Abbadon aaj se tum teeno ka master Digvijay hai teeno
Digvijay ke saamne apne ghutno ke bal baith gaye Digvijay Asmodeus se ye honour paake
khush ho gaya Asmodeus ne apne haath aage kiyeBalbeer ki rooh jisme uski puri shakti
thi wo aage badhi aur Digvijay ke andar sama gayi Digvijay ki aankhen ek pal ke liye black
ho gayi but than black to normal ab usse apne andar aur zyada shakti mehsoos ho rahi thi

Digvijay:- devil lord itne samman ke diye shukriya main koshish karunga ki aapne jo
samman aur sthaan mujhe diya hai main uske layak ban sakun

Asmodeus:- bas apne upar insaano wali kamzori bhawana mat aane dena tumhari shakti
badhti jayegi aur ek baat tum jise badla lena chaahte ho usse sidhe takraane ki bhool mat
karna jis raaste ko tumne chuna hai sayyam rakh ussi pe aage badhte jao ho sakta hai tum
kaamiyab ho jaao

Digvijay:- jaisa aap kahe devil lord Digvijay ne apna sar jhukar ye baat kahi par jaise hi
Digvijay ne apna sar uthaya wo fir chonk gaya kyu ki wo wapas apne ghar ke hall me khada
tha usne ghadi dekhi wo college ke liye 1:30 ghanta late ho chuka tha uska mobile saamne
table par pada tha usne jab apna mobile dekha toh usme Avantika ke for miss calls the

Digvijay:- (mann main) yaar mujhe toh Avni ko pick karne jana tha ab tak toh college ke
aadhe lectures khatam hone wale honge kya karun jaaun ki nahi chala jata hun aaj mera
bhi first day hai aur uska bhi pehle din apne sabse pyaare dushman se ek mulakat toh
banti hi hai naa Digvijay muskurata hua college ke liye nikal gaya

Planet: Gluto Place: Battle field


tiksna deha bhavati (iron body) tannn tann teeno yodha kuch der tak prahar karte rahe
par saamne wale par kuch asar na hote dekh teeno peeche hat gaye asar hota bhi kaise
saamne wale ne apne sharir ko lohe me jo badal liya tha iss waqt Gluto ke battle field me
jahan competition hota tha waha yudh spraddha ka finals chal raha tha chaar yodha jo ki
finals me pahunche the unme se ek ne baaki teeno ko ek saath chunouti di thi shuruat me
waha moujud crowd un teeno ko jo ek taraf se lad rahe the un teeno ko hi cheer up kar
rahi thi jisne teeno ko chunouti di thi usse bas uss battle field ke ek chhor me khade do
bande hi cheer up kar rahe the par jaise jaise charon ka yudh aage badhta gaya darshako
ka fav bhi badal gaya ab har taraf bas uss akele ke liye hi cheer up ho raha tha wo teeno
kuch der tak kuch plan banate rahe fir teeno ek dusre se alag ho gaye teeno ne uss akele
ko teen taraf se gher liya tha dalana yantram (crushing machine) vedhana yantram (hole
drilling machine) vahala kuli kam (hunter of current) teeno ne apne apne mantra bole ek
ke haath me lohe ko crush karne ka yantra aa gaya dusre ke haath me lohe ko hole karne
ka aur teesre ke haath me ek chaabuk aa gaya jise current nikal raha tha teeno apne apne
yantra liye aage badhe uss akele ne apne haath aage kar talwar ka awaha kiya agle hi pal
uske haathon me ek talwar chamakne lagi uss shaksh ne jo do yodha uske saamne aur
right taraf se aa rahe theunke saamne tezi se alag alag angles me flip maarni shuru kar di
uski tezi wakayi kafi zyada thi wo dono yoddha ye dekh hadbada gaye dono apni jagah
bhulkar ek saath ho gaye soohh ahhh wo dono kuch samjh paate usse pehle hi uss shaksh
ne tezi se dono ke kalai ko nishana bana kar apni talwar do baar chala di un dono ke yantra
unki kalai sahit zamin par gir gaye ki tabhi left side ke yodha ne jo ki kuch paas aa chuka
tha usne uss shaksh ke upar apna hunter ghuma diya aahhh ye aawaz uss hunter wale
bande ke mouh se hi nikli thi hua ye ki jaise hi uss hunter wale yodha ne apna hunter
ghumaya saamne wale shaksh ne jal prakatam ka mantra bol diya uss shaksh ke saamne
paani ki ek diwal ban gayi wo current wala hunter sidha uss diwal se takraya aur jaise ki
hum sab jante hain ki water iss a good conducter of heat and electricity yaha bhi wahi
huahunter ke paani chhute hi uss yoddha ko ek zor ka jhatka laga aur wo door fenka gaya
do toh pehle hi gir chuke the teeno ne ek saath apni haar kobool kar li ki tabhi waah bohat
khub bohat achche lagta hai pichli baar ki haar se sabak lekar tumne kafi abhyas kiya hai
tumhare yudh kala me kafi nikhaar aa gaya hai hum ye dekh kar bohat khush hue Shaila ji
haan doston ye aur koi nahi hamari Shaila hi thi aur jo do log usse support kar rahe the
wo Akshaant aur Mokalsar the darasal hua yun ki Vikram ke dwara teeno ke shakti chakra
ko badhane ke baad jab wo apne grah pahunche teeno ko apne andar kafi furti mehsoss
ho rahi thi toh teeno ne sabse pehle abhyas kiya aur pehle hi abhyaas satra me teeno ne
apne yudh kala ko teen guna tak nikhar liya Shaila itna kuch achanak hote dekh kafi
excited ho gayi aur usne Akshaant aur Mokalsar ko yaha matlab Gluto chalne ko kaha
dono Shaila ki baat taal nahi paye aur yaha aa gaye wahi Nishkalika ussi maidan ke upar
hawa me khadi thi aur waha moujud sabhi uske samman me jhuke hue the

Shaila:- kaisi ho Nishkalika apna naam yun sun Nishkalika ko ghussa toh bohat aaya par
usne khudko control kar liya

Nishkalika:- hum tumhare iss naye avtar se bohat khush hue Shaila hum tumhe apni sena
me senapati banana chahte hain

Shaila:- par riwaz toh kuch aur hai naa jo bhi iss pratiyogita ko jeetata haiusse toh tumse
chunouti milti hai naa

Nishkalika:- tum humse ladhna chahti ho

Shaila:- sirf ladungi hi nahi haraungi bhi

Nishkalika:- hahaha toh issliye wapas aayi ho tum pichli baar ki haar aur uske baad hue
apmaan ka badla lene hume pata haiki samjhane se toh tum samjhogi nahi par tumse
ladhkar hum apne star ko girana nahi chaahte chalo hum tumhe mouka dete hai karlo
waar humpe hum bhi toh dekhen tum kitna sikh kar aayi ho Nishkalika ke ye sab bolte hi
Shaila ne kuch bhaalon aur khadag ka awaha kiya aur apne haath aage kar diye khadag
aur bhaale tezi se Nishkalika ki taraf badh gaye par Nishkalika yunhi bina hile dule khadi
rahi par ye kya jaise hi bhaale aur khadag Nishkalika ke paas pahunche Shaila Mokalsar
aur Akshaant ke mouh khul gaye darasal Nishkalika ke paas pahunchte hi saare shatra
phool ban gaye aur Nishkalika ke upar phoolon ki baarish si ho gayi aap sab ye toh samjh
hi agye honge ki ye sab un diamonds ki shakti ki wajah se hua hai par iss wajah ke peeche
bhi ek wajah hai aur wo ye hai ki iss bramhaand ke kisi bhi grah me bane koi bhi hathi yaar
jis bhi dhaatu se bane hain unme Dhawali jheel ki mitti ki parat bhi chaddi hui hai joki holy
spirits ke parikrama karne ki wajah se unki energies ke saath saath har grah me pahunchi
hai

Nishkalika:- tum dono iske saathi ho naa tum dono bhi koshish karke dekh lo Akshaant
aur Mokalsar ne bhi alag alag shashtra Nishkalika ki taraf feke par sab beasar

Nishkalika:- arre kitna ladoge thak jaoge

Shaila:- hum tumhe maar kar hi yaha se jayenge Nishkalika Nishkalika ne bina kuch bole
apne dono haathon ki mutthi banayi aur unhe halka halka masalna shuru kiya aahhh
Nishkalika ke aisa karte hi Mokalsar aur Akshaant dono ko aisa lagne laga jaise koi unki
body nichod raha hai dono ke mouh se dard bhari aah nikal gayi aahhh chhodo mujhe
abhi Shaila kuch samjh paati usse pehle hi Nishkalika ne usse hawa me utha liya

Nishkalika:- gustaakh ladki mere grah me aakar mujhe hi dhamki dekar tune apni mout ko
pakka kar liya hai aur kya keh rahi thi tu hame maaregi bewakuf ladki Nishkalika ko maarna
asambhav hai Nishkalika ajay hai amar hai zindagi jeene ke liye ek galat fehmi zaroori hai
Nishkalika tumhare paas kuch hi waqt ki zindagi aur bachi haitab tak ye galat fehmi paale
rakho ye awaaz ek bhavishya vaani ki tarah thi jise waha moujud sabhi ne suna tha awaaz
ke aate hi do chizen hui

1st:- Nishkalika ke spells ne kaam karna band kar diya Shaila zameen par aa gayi aur
Mokalsar aur Akshaant ke sharir me badh raha dard bhi khatam ho gaya

2nd:- Nishkalika jo khud bhi hawa me khadi thi wo bhi zameen par aa gayi waha moujud
sabhi shocked the par sabse zyada Akshaant Shaila aur Mokalsar chonke the kyu ki wo iss
awaaz ke maalik ko jante the

Teeno:- (mann main) Vikrammm

Main:- haan main hi hun Shaila Guru ji ne tumhe adhirta ke bare me kya bataya tha kuch
shaktiyan mili nahi ki tumne apna dheeraj kho diya ye baat main unke dimag se jud bas
teeno se kar raha tha teeno ne sar jhuka liya

Shaila:- hume maaf kar do

Main:- koi baat nahi par dobara aisa mat karna wahi dusri taraf Nishkalika ka dimag ghum
gaya tha

Nishkalika:- kaun hai himmat hai toh saamne aao

Shaila:- aisa mat bol Nishkalika agar iss awaaz ka maalik saamne aa gaya na toh jo tujhe
kuch aur din jeene ki moholat mili hai wo bhi chin jayegi

Nishkalika:- teri itni himmat Nishkalika ne ek haath aage kar diya uske haath se saikdon
teer nikle aur Shaila Mokalsar aur Akshaant ki taraf aane lage par isse pehle ki wo teer
teeno ko chhute teeno gayab hokar apne grah pahunch gaye

Nishkalika:- nahiii

Planet: earth Place: college canteen:


Saint Stephens India ka sabse bada management college yaha sirf super talented ya fir
super rich bacche hi padhte hain aur hamare teeno doston ke paas toh ye dono hi gifts
hain

Ronit:- abbe kal se dekh raha hun tu kuch soch raha hai

Anjali:- haan koi problem hai kya dekh ab toh hum bhi trained hain kuch baat hai toh bata
shayad hum kuch kaam aa jayen

Main:- problem nahi hai yaar bas main kisike bare me soch raha hun

Ronit:- kiske bare me?

Main:- Avantika aur Digvijay ke bare me

Anjali:- unke bare me kya soch raha hai?

Main:- yahi ki Avantika jaisi ladki Digvijay jaise ladke ke saath kaise I mean

Ronit:- abbe toh hume kya lena dena chhod naa

Main:- abbe aise kaise Avantika ab hamari dost hai itna sochna toh banta hai naa jee haan
doston darasal kal Digvijay ne hume Avantika se milaya hi tha ki usse uske doston ne bula
liya Digvijay janta tha ki hum sab school me bhi saath padh chuke hain toh usne Avantika
ko hamare paas chhod apne doston ke paas chala gaya uske jane ke baad Avantika ne
humse apne pehle ke bartaav ke liye firse sorry kaha jo humne firse accept kar liya
Avantika ne hum teeno ke aage dosti ka haath badhaya kyu ki iss baar ladki genuine thi
maine accept kar liya aur mere baad in dono ne bhi uski friendship accept kar li

Anjali:- Vj iss right par mujhe toh Digvijay bhi kal sudhra hua hi laga humse kitni decently
baat ki usne

Ronit:- haanaur agar kuch galat hotatoh tujhe toh sab kuch automatically maalum pad
jata hai naa ab main inhe kya batata yahi toh main problem thi ki main un dono ko hi padh
nahi paa raha tha Digvijay ko dekhte hi main ye samjh gaya tha ki wo ek devil hai par kal
raat freshers party me usne jaise hi mujhse haath milaya mujhe uske pure sharir me black
ke saath saath white energy bhi doudti mehsoos hui aur jaise hi maine uske andar
jhaankne ki koshish ki uss white energy ne Digvijay ke andar ek diwal ka roop le liya jaise
mujhe uske andar dekhne se rok rahi ho aur sabse badi baat ye thi ki ye sab Digvijay nahi
kar raha tha balki ye sab apne aap ho raha tha usse toh kuch pata hi nahi tha ki uske andar
kya chal raha hai aur rahi baat Avantika ki toh wo toh meri liye spear ki paheli se bhi badi
paheli ban chuki hai main usse pehle se janta hun par kal raat pehli baar mujhe aisa laga
jaise wo mujhse judi hui hai kaise ye saala samjh nahi aa raha maine jab uske andar
jhaankne ki koshish ki toh mujhe bas ek roshni aur kawach dikhi wo kavach mujhe apna
sa laga mujhe apna dharir thanda sa mehsoos hua bas aur kuch pata nahi laga paya main
toh dimag toh ghumega hi naa

hi frnddzz abhi main kuch kehta usse pehle hi iss awaaz ne hum teeno ka dhayan apni
taraf khinch liya ye aur koi nahi Avantika thi

Anjali:- hey Avantika aao baitho Anjali ke baad Ronit aur maine bhi Avantika ko greet kiya

Anjali:- yaar aaj tumne first lecture miss ki thi naa

Avantika:- haan yaar sab Digvijay ki wajah se duffur kahi ka

Anjali:- kyu kya hua?

Avantika:- arre usne hi mujhe kaha tha ki wo mujhe ghar se pick karega main ek ghante
tak uska wait karti rahi par janab ka kuch ata pata hi nahi issliye main akeli hi aa gayi par
late ho gaya so sorry jaan abhi koi kuch kehta usse pehle hi Digvijay sir aa gaye unhone
Avantika ko peeche se hug kar sorry kaha

Avantika:- what sorry yaar maine tumhe for baar call kiya agar nahi aa sakte the toh kam
se kam call karke bata dete naa tumhare chakkar me mere first day ka first lecture hi miss
ho gaya

Digvijay:- so sorry yaar main toh time se hi tumhare ghar ki taraf nikal gaya tha par raaste
me ek buddhi aurat giri hui thi koi bhi unki madad karne ke liye nahi aa raha tha maine
unhe uthaya aur hospital le gaya aur ilaj karwaya mobile car me hi chhut gaya tha issliye
main tumhara call utha nahi paya I am so sorry

Avantika:- I’m sorry baby main bina asli baat jane hi tumpe naraz ho rahi thi tumne jo kiya
uske liye I’m proud of u

Anjali:- sach me Digvijay tumne bohat acha kaam kiya hai

Main:- (mann main) waah kya noutanki hai ye jhoot bole jaa raha hai aur ye log uski
baaton me aa bhi gaye aur ye Avantika isse topper kisne bana diya ek number ki gadhi hai

Digvijay:- yaar Anjali ab toh hum frndz hain naa aur mere frndz mujhe Diggi bulaate hain
Main:- doggy bulaate hain meri baat pe sabki hasi chhut gayi yaha tak ki Avantika ki bhi
sabhi ke reaction ko dekh Digvijay ki sulag gayi par bhai sahab ne khudko control kar liya

Anjali:- kya bol raha hai Vj doggy nahi Diggi

Main:- oh sorry sorry wo maine galat sun liya tha

Avantika:- its ok yaar ho jata hai kabhi kabhi

Ronit:- ye sab chhodo yaar Avantika tum dono ki love story ke bare me batao kuch I mean
tum dono mile kaise aur fir relationship me kaise aaye?

Main:- (mann main) chalo pehli baar iski mouh fat panti kuch kaam aayi

Anjali:- Ronitt ye unka private matter hai yaar

Avantika:- no no its ok

Ronit:- aur nahi toh kya waise bhi ab toh hum dost hain naa aur doston me kaisa secret

Avantika:- sahi baat hai toh frnds hum dono ki kahani waise toh choti si hai par hai fultoo
filmy

Anjali:- woww kaise?

Avantika:- main garmiyon ke vacations me London gayi hui thi Digvijay se meri mulakat
wahi hui ek raat main pub se apne hotel jaa rahi thi ki tabhi cab kharab ho gayi raat ka
waqt tha aur wo area bhi sunsaan tha tabhi waha kuch local street boys aa gaye aur mere
saath badtamizi karne lage main kafi dar gayi thi par tabhi waha ek car aakar ruki aur usme
se Digvijay nikla isne unsab ladkon ko akele hi maar bhagaya tabhi se humari dosti shuru
hui Digvijay bhi London vacations me hi gaya hua tha hum regular milne lage fir hamare
tour ke last din hi Digvijay ne mujhe propose kar diya and I said yes simple

Ronit:- sahi bola tha tumne tum dono ki kahani full on filmy hai

Digvijay:- haan hello ok main pahunchta hun abhi koi aur kuch kehta usse pehle hi Digvijay
sir ka mobile baj utha

Digvijay:- guyz mujhe ek urgent kaam se jana hoga Avni tum classes attend karogi ya main
drop kar dun

Avantika:- classes hain hi kaha jo attend karun main aaj ke baaki ke lectures toh off hain

Digvijay:- great then chalo main tumhe drop kar deta hun
Avantika:- nahi main apni car laayi hun waise bhi mujhe Shanaya ko lene airport jana hi
hai toh tum jao main airport nikalti hun Avantika aur Digvijay hume aur ek dusre ko bye
bol nikal gaye

Ronit:- kar diya naa tera kaam

Anjali:- kaisa kaam?

Ronit:- Vj janana chahta tha in dono ki story issliye toh maine Avantika se wo sab pucha

Anjali:- tujhe kaise pata? Vj ne toh kuch kaha bhi nahi

Ronit:- iski tarah sabke mann ki baatein nahi padh sakta toh kya hua dost hai mera kamse
kam iske dil ka haal toh jaan hi sakta hun maine Ronit ko hug kiya saale ne emotional kar
diya tha

Anjali:- par ye sab kis liye?

Main:- ek ka husn khuda ka keher hai aur dusre ka ishq fareb hai meetha zeher hai

Planet: Gluto Place: infront of cave

Kawach bhangam (break the armour) boommm ek zor ka dhamaka hua aur jab uss
dhamake ka dhua chatta toh sab kuch pehle jaisa hi tha gufa ke bahar jo kawach bana hua
tha usse todne ke liye ye mantra aur kisi ne nahi balki Asmodeus ne kiya tha jo ki nish
prabhav ho gaya tha aur aisa lagbhag naa ke barabar hota hai ki Asmodeus ke spells kaam
na kare

Asmodeus:- kamaal hai pehle mujhe iss gufa ke andar kaun si shakti hai wo dikhayi nahi
deti aur ab mera spell bhi bekar ho gaya

Asmodeus:- hahaha toh iske peeche St Cecilia ka haath hai befakuf jis tarah gufa ke raaz
ko chhupaya tha ussi tarah khudko bhi chupa leti hua ye ki apne spell ko bekar hota dekh
Asmodeus ne apni aankhen band ki aur gufa ke bahar matlab iss waqt wo khud jahan
khada tha waha kya kya ho chuka ha iwo dekhne laga kuch hi palon me Asmodeus ko pata
chal chuka tha ki St Cecilia ne yaha kya kiya hai

Asmodeus:- chalo ek daaw tumne khela ek daaw main bhi khel leta hun Asmodeus ne
apne haath aasman ki taraf kar kuch mantra kehe Asmodeus ke haathon se sunahari
kirane nikli aur St Cecilia ke kawach ke thek saamne fail kar gayab ho gayin maano kawach
ne shawl odh li ho aur Asmodeus gayab ho gaya
Place: Nishkalika's palace

tum sab kisi kaam ke nahi ho isse pehle ki main tum sab ko jalakar raakh kar dun door ho
jao meri nazro ke saamne se Nishkalika iss waqt apne singhansan par baithi apne saamne
khade for magicians ko daant rahi thi Shaila Akshaant aur Mokalsar ke gaayab hone ke
baad Nishkalika ne apne saamne khade charon magicians ko jo ki Gluto grah ke sabse ache
magicians me se the unhe Vrihaakh grah jaakar Shaila aur uske dono saathi yon ko bandi
banakar uske saamne pesh karne ka hukm diya tha un charon ne Vrihaakh grah jaakar
uska kona kona dhund liya tha par unhe Shaila aur uske dono saathi kahi dikhe hi nahi ye
sab Vikram ne kiya tha wo janta tha ki Nishkalika aisa kuch zaroor karegi issliye usne pehle
hi Shaila Mokalsar aur Akshaant ke upar ek anokha spell use kiya tha iss spell ka use aage
bhi hone wala hai jo ki bohat important bhi hai issliye iske bare me bhi baad me pata
chalega abhi ke liye itna jaan lijiye ki ye charon ussi spell ki wajah se Shaila Mokalsar aur
Akshaant ko nahi dhund paye Nishkalika ki dhamki sun charon kafi dar gaye aur sar
jhukayee mudkar waapas jane lage

Nishkalika:- (mann main) lagta hai mujhe hi kuch karna hoga aisi galti bhool se bhi mat
karna awaaz sunane ke baad Nishkalika shocked ho gayi uske shocked hone ki do wajah
thi

1st:- jo magicians sar jhukayee wapas jaa rahe the wo wahi ruk gaye the jiska ye matlab
tha ki waha ka samay chakra ruk gaya tha

2nd:- ye awaaz Nishkalika ki suni hui thi ye wahi awaaz thi jisne kuch din pehle Nishkalika
ko dhamki di thi aur Shaila aur uske saathi yon ko bacha liya tha

Nishkalika:- kaun ho tum? tumhara koi astitv bhi hai ya tum bas ek awaaz hi ho tabhi
darbaar ke theek beech ek kaali roshni ubhri aur ussi roshni ke beech me se ek shaksh
bahar aaya apne saamne khade shaksh ko dekh Nishkalika ka dil jo ki un diamonds ki
wajah se mar sa gaya tha dhakk kar gaya bande ki personality thi hi aisi ki Nishkalika kuch
pal tak usme kho hi gayi par fir turant hi Nishkalika ne khudko sambhaal liya

Nishkalika:- oh toh tum ho jisne uss din uss ladki ko aur uske saathi yon ko mujhse bacha
liya tha

Banda:- nahi main wo nahi hun

Nishkalika:- jhoot mat bolo maine tumhari awaaz pehchaan li hai


Banda:- jiski tum baat kar rahi ho uski aur meri awaaz ek si hai ye bolte bolte wo banda
Nishkalika ke paas pahunch gaya tha

Nishkalika:- matlabb arrre ye mujhe kya tum abhi Nishkalika aur kuch kehti usse pehle hi
uss bande ne apna haath uski taraf kiya Nishkalika ka sharir hawa me uth gaya aur wo
neeche ki taraf aane lagi wahi wo banda araam se chalta hua jaakar singhasan par baith
gaya aur Nishkalika jahan wo pehle khada tha ussi jagah par khadi ho gayi

Nishkalika:- itna dussahas wo mera singhasan hai

Banda:- hum jahan bhi jaate hain waha ka shashan aur waha ki raaj gaddi Asmodeus ki
milkiyat ban jati hai

Nishkalika:- tumm Nishkalika kuch kehne hi wali thi ki uske dimag me uss shaksh ko bola
gaya naam takraya Asmodeus aur agle hi pal Nishkalika apne ghutno par baith gayi

Nishkalika:- mujhe maaf kar dijiye lord of devils main aapko pehchaan nahi payi

Asmodeus:- waise toh hum apne saamne unchi awaaz me baat karne wale ko maaf nahi
karte par kyu ki tum ek aurat ho aur hum auraton ki bohat izzat karte hain issliye hum
tumhe maaf kar dete hain

Nishkalika:- aapki rehem dilli ke liye shukriya maalik

Asmodeus:- hamari kaali shaktiyon ko badhane me tumhara khaas yogdaan raha hai
Nishkalika aur hum nahi chahte ki tumhari mrityu se hamare kaale saamrajya ko nuksaan
ho

Nishkalika:- main aapke baaton ka arth samjhi nahi maha mahim

Asmodeus:- do baatein yaad rakho

Pehli:- jo awaaz tumne uss din suni thi uska picha karna chhod do

Dusri:- jis gufa se tumhe taakatein mili hain aur shakti ke laalach me dobara usme ghusne
ki koshish bhi mat karna

Nishkalika:- jee maalik aapke dono hi aadeshon ka paalan hoga ye baat Nishkalika ne sar
jhukar kar kahi thi par jaise hi Nishkalika ne apna sar uthayawo shocked ho gayi Asmodeus
gayab ho chuka tha aur samay chakra fir se shuru ho gaya tha Nishkalika jaakar apne
singhasan par baith gayi

Planet: Earth Place: Outside Aroras mansion


come on babes its ok itna toh chalta hai yaar

Avantika:- no Diggi please yaar try to understand main ye sab ke liye abhi ready nahi hun
kuch kuch toh samjh hi gaye honge baaki ka main samjha deta hun normally toh Avantika
Shanaya ke saath hi college jati hai par kal raat apne kisi frnd ke ghar me rehne ki wajah
se aaj Shanaya wahi se college nikal gayi thi aur hamari Avantika madam ko pick karne
Digvijay urf Diggi aaye hue the aur rahi abhi chal rahi scene ki baat toh Diggi ji ghar ke
bahar hi wait kar rahe the aur jaise hi Avantika aayi uski khoobsurti ko dekh kar Diggi sach
me ek doggy ki tarah laar tapkane laga Avantika ne car me baith Digvijay ko side se hug
kiya aur jaise hi wo hatne ko hui Digvijay ne apni pakad thodi tight kar Avantika ko kiss
karne ki koshish ki par Avantika ne ek jhatke me khud ko chhuda liya

Digvijay:- oh come on yaar hum dono ko relationship me aaye do mahino se upar ho gaye
hain tumhare kehne par hi hum abhi tak intimate nahi hue par kamse kam ek kiss toh
banta hi hai naa ye bolkar Digvijay Avantika ko firse kiss karne ke liye aage badha par
Avantika ne beech me hi uski chest par haath rakh usse rok diya

Avantika:- please Diggi maine kahanaa main abhi tak in sab ke liye tayar nahi hun ab
Digvijay ko bhi ghussa aa gaya par kar toh kuch sakta nahi tha uska mouh ful gaya usne
car gear me daali aur tezi se college ki taraf badha di

Place: Stepehens College

hey babes whats up Avantika aur Digvijay jab college pahunche toh campus me hi unke
ek classmate ne unhe bata diya tha ki first lecture off hai dono canteen ki taraf chal diye
jahan pehle se hi Shanaya aur Anjali baithi hui thi Shanaya ko dekh dono uski taraf chal
pade Shanaya ne bhi Avantika ki hi tarah Vikram & frndz se maafi maang unse dosti kar li
thi

Avantika:- hi

Digvijay:- main aata hun ye bol Digvijay bina Avantika ki baat sune nikal gaya

Shanaya:- isse kya hua?

Avantika:- kuch nahi yaar aise hi

Anjali:- kuch toh hua hai come on yaar bata naa

Avantika:- thek hai suno fir par Anju Vj aur Ronit ko mat batana
Anjali:- (mann main) ab iss bechari ko kaun bataaye ki Vj maharaj ko kuch bhi batane ki
zaroorat hi kaha padti hai yaha humne socha waha usse pata chal jata hai

Anjali:- pata hai Avni friendship ko lekar Vj ki ek philosophy hai wo ye ki agar aapko apne
kisi dost ko kuch secret batane se pehle usse ye bolna pad jaye ki please kisi ko batana
mat iska matlab hai ki aapko uspe trust hi nahi hai

Avantika:- sorry meri maa ab suno actually Digvijay mujhe kiss karna chahta hai

Anjali:- chahta hai matlab abhi tak tum dono ne kiss bhi nahi ki

Avantika:- bhi matlab aur kya karna hota hai?

Anjali:- tujhe nahi malum Anjali ki baat ka matlab jab Avantika ko samjh me aaya toh uske
gaal laal ho gaye

Avantika:- chup besharam

Anjali:- hahaha acha par ye toh bata ki kiss karne me kya kharabi hai ye toh har
relationship me normal hai

Avantika:- mere liye nahi yaar pata nahi kyu par main jab bhi iss bare me sochti hun toh
mera mann negetive hone lagta hai shayad main abhi ready nahi hun yahi baat maine
Diggi ko bhi bata di hai par fir bhi aaj usne mujhe kiss karne ki koshish ki maine mana kiya
toh mujhse naraz ho gaya hai

kaun naraz ho gaya hai? ye awaaz thi hamare hero ki jo ki Ronit ke saath just padhare the

Shanaya:- hey Vj hey Ronit

Avantika:- hey guyz humne bhi dono ko greet kiya

Main:- bataya nahi kisine? kaun naraz hai aur kisse

Anjali:- ye hamari girls talk hai boys not allowed

Main:- ohh khichdi

Teeno girls:- matlab

Main:- arre girls talk matlab boring baatein just like khichdi

Avantika:- achaa aur boys talk kaisi hoti hai?


Main:- like gol gappa kabhi spicy kabhi meethi mood ke according the taste varies meri
baat sun sab hans diye

Shanaya:- sach me yaar jaisa humara past raha hai mujhe toh yakin hi nahi ho raha hai ki
hum friends ban gaye hain

Main:- dil madam dil galti ka ehsaas jab niyat ko saaf kar deta hai toh dil bhi badi se badi
galti ko maaf kar deta hai

Avantika:- waahh

Shanaya:- waise guyzz Avni bhi kafi achi shayri karti hai

Anjali:- sach toh fir ho jaye

Avantika:- arre tu kaha iske baaton me aa rahi hai

Shanaya:- acha beta kha kasam fir ki main jhut bol rahi hun

Avantika:- arre itni choti baat ke liye bhi koi bhala kasam khaata hai kya

Ronit:- kyu bhaav kha rahi hai suna na

Avantika:- guys main keh rahi

Main:- suna bhi do yaar

Avantika:- jab apni galti ka ehsaas hua toh hum bohat ghabraaye sar neeche karek bojh
sa liye tere saamne aaye Avantika ki shayri ya yun kahu uske dil ka haal sun Anjali aur yaha
tak ki manmouji Ronit bhi emotional ho gaye dono ne Avantika ko halki thapki di par
Avantika ek tak meri aankhon me hi dekh rahi thi ki tabhi

Avantika:- Dig thaakkk thaapp

Main:- surprisee nahi samjhe naacha liye samjhata hun hua ye ki Digvijay bhai sahab jo
humse kuch door par hi apne kuch doston ke saath baithe the par janaab ka pura dhayan
hamari taraf hi tha wo waha se uthkar dheere dhhere chalte hue hamari taraf aane lage
meri peeth uski taraf thi wo chalte hue ek dum mere peeche pahunch gaya aur mujhe
darane ke liye zor se mere left shoulder pe apna haath rakhne ke liye uthaya jise Avantika
ka dhayan achanak se toota par uske mouh se Dig ke aage kuch nikal nahi paya kyu ki
Digvijay ke haath ghumate hi main tezi se utha aur Digvijay ke peeche pahunch usse uske
kamar se pakad kar usse uthaate hue apni chair par uchaal kar baitha diya ye sab bohat
zyada tezi se hua tha kisi ko bhi kuch samjh nahi aaya
Main:- kyu maza aaya aap hume surprise dena chaahte th ehumne aapko dedi

Ronit:- bhai Digvijay Vj ko jhatka dena paani ko nehlane jaisa hai toh ye sab toh bhool hi
jaa sab meri harkat aur fir Ronit ki baat sun kar hans pade par Avantika ko Digvijay ki
harkat bilkul achi nahi lagi ek Avantika hi thi jisne Digvijay ko haath uthate hue dekha tha
usse pata thaki jis tezi se Digvijay ne haath ghumaya tha agar wo mujhe lag jata toh mujhe
kafi taklif hoti

Avantika:- acha frndz mujhe kuch kaam aa gaya hai main chalti hun

Digvijay:- chalo main tumhe chhod deta hun

Avantika:- no thanks Shanaya hai naa main uske saath chali jaaungi ok guyz bye main jaan
gaya tha ki Avantika ka mood Digvijay ki wajah se kharaab ho gaya hai ab bhai uska mann
nahi padh sakta toh kya hua cehera dekhkar dil ka haal toh jaan hi sakta hun naa

Main:- Avantika abhi Avantika ne mujhe cross kiya hi tha ki meri awaaz sunkar ruk gayi
aur palat kar meri taraf dekhne lagi

Ronit:- haan wahi main soch unki abhi tak ye bola kaise nahi

Shanaya:- matlab

Anjali:- matlab aakhri line hamesha Vj ki hoti hai ye sun Avantika ke gaalon me halki halki
laali liye muskurate hue nikal gayi aur uske baad hum teeno bhi classes ki ore chal pade

Digvijay:- (mann main) jitna udna hai udle Vikram ek baar main Avantika ko puri tarike se
haasil kar lunfir tujhe bataunga ki taakat kya hoti hai

Place: Mandir

jaldi chalo tum dono ye ladkiyan bhi naa main budhi hokar bhi inse tez chal rahi hun ye
lady aur koi nahi Avantika ki dadi ji hai aur ye awaaz bhi Avantika aur Shanaya ko hi de
rahi hain jo ki dheere dheere sidhi chalkar aa rahi hain iss waqt Avantika Shanaya aur dadi
ji Mumbai se 20 km door bane ek mandir me hain darasal aaj Avantika ke dadu ki barsi
hai aur Dadi ji Avantika aur Shanaya ko lekar yaha aayi hui hain

Dadi ji:- aayi ki nahi

Shanaya:- aa gayi dadi dadi ji ne jaise hi palat kar dekha toh Avantika aur Shanaya ko apne
pecche khade hue paya ghar ke noukar jo ki bhog ka saaman laaye hue the puja karne ke
baad dadi ji ne unhe bahar baithe logon ko prasad baatne ko kahanoukaron ke saath saath
Avantika aur Shanaya bhi bhod aur khaane ka samaan baatne me lag gaye ki achanak
Avantika ki nazar ek Baba type aadmi par gayi jo mandir ki sidhiyon par baitha hua tha
Avantika ne ek done me khana nikala aur uss Baba ki taraf badh gayi

Avantika:- ye lijiye Baba khana

Baba:- dhanyawaad Avantika uss aadmi ke mouh se apna naam sun Avantika chonk gayi

Avantika:- aapko mera naam kaise pata Baba?

Baba:- mujhe tumhare bare me sab kuch pata hai putri aaj hi ke din tumhare Dada ji ka
nidhan hua tha aur unke dehant ka sabse bada kaaran unka saalon tak kiya gaya kukarm
hi tha Baba ki baat sunkar Avantika shocked ho gayi wo wahi Baba ke paas baith gayi

Avantika:- aapne har baat sach kahi hai Baba aur kya jante hain mere bare me

Baba:- sab kuch par bhootkaal me kya kya hua hai usse batakar kya fayeda zarooro toh
hamara vartamaan aur bhavishya hai naa aur tumhara bhavishya acha nahi hai putri
Avantika Baba ki baat sun kar shocked bhi ho gayi aur dar bhi gayi

Avantika:- matlab kya hone wala hai bhavishya me Baba?

Baba:- tumhare upar ek buri shakti ki nazar hai putri aur wo shakti bohat khatarnaak hai
Baba ki baat sun Avantika ka gala sukh gaya

Avantika:- maine kisi ka kya bigada hai Baba?

Baba:- buri shaktiyan hamesha ache logon ko hi apna nishana banati hai putri

Avantika:- kya isse bachne ka koi upaay hai Baba?

Baba:- hai putri ye lo Baba ne Avantika ke saamne apna haath kar diya Baba ji ke haath
me ek chota sa dibba tha Avantika ne uss dibbe ko khola dibbe ke andar laal rang ki mitti
thi

Baba:- paani me iss laal rang ke churn ko daalkar ussi paani se tum snaan le lena koi bhi
buri shakti tumhare sharir ko haani nahi pahuncha payegi aur ek baat hamare beech ki
baat kisi aur ko mat batana agar uss buri shakti ko iss baat ka gyat ho gaya toh wo tumhare
kareebiyon ko bhi nuksaan pahuncha sakti hai

Avantika:- nahi nahi main kisi ko nahi bataungi Baba ne Avantika ko aashirwaad diya aur
chale gaye Avantika kuch der tak Baba ko jaate dekhti rahi fir uss dabbe ko purse me rakh
mandir ke andar chali gayi
Wahi dusri taraf wo Baba mandir se bahar aakar laft side ki taraf mud gaye aur chalte hue
paas hi ke ek ped ke paas jaakar ruk gaye uss ped se sattkar koi khada tha Baba ji uss ladke
ke saamne apne ghutno par baith gaye

Ladka:- mujhe maafi kijiyega ki iss kaam ke liye mujhe aapko bulana pada baat ye hai ki
aap me se hi koi ek ye kaam kar sakta tha Baba ab apne asli roop me aa chuke the apne
asli roop me aakar Baba ne uss ladke se kuch kaha aur gayab ho gaye

Baba:- hum sabhi aapke aadesho ke aadhin hai Lord of Angel Vikram Planet: Earth

Place: Menakshi Mansion

dad jo maine bola tha uska kya hua? subah ka waqt hai main ready hokar niche aaya toh
dekha ki dad newspaper padh rahe the toh maine unke saamne apni baat rakh di

Dad:- hamara beta humse koi farmaaish kare aur hum wo puri na kaaren aisa ho sakta hai
kya meri baat ho gayi aaj college me first lecture ke time hi announcement bhi ho jayega
aur maine permit ke liye bhi baat kar li hai kal toh wo bhi mil jayega

Main:- oh dadu the best ok dad main college nikalta hun

Dad:- arre ek minute sun toh

Main:- ya dad what's up?

Dad:- beta wo ladka tha naa kya naam tha uska haan Madox jisne Ronit ko kidnap kiya tha
uske dad ka kal ek accident me nidhan ho gaya hai

Main:- what? ye mere liye ek jhatka tha agar aisa sach me kuch hua hota toh mujhe ab
pata chal chuka hota meri senses ne itni badi baat ko read nahi kiya iska toh ek hi kaaran
ho sakta hai aur wo ye ki iske piche koi aisi shakti kaam kar rahi hai jisne mere senses ko
uss tak pahunchne se rok diya hai

Dad:- haan betaye dekh paper me aaya hai maine dad se paper lekar dekhaye news front
page par hi chhapi thi paper par Balbeer ki dead body ki bhi tasvir chhapi thi aur jaise hi
maine uss photo ke upar apna haath rakha mere chehre par ek smile aa gayi mujhe pata
chal gaya tha ki photo me jo dead body hai wo Balbeer ke clone ki hai par iss soch ke
khatam hote hi mere dimag me aur kuch sochon ne janm liya

Mom:- subah subah aap mere bachhe ko ye kaisi kaisi news suna rahe ho mom ki awaaz
sunkar main apne soch se bahar aa gaya
Dad:- arre Vicky usse janta tha naa issliye bas

Mom:- toh kya hua subah subah kisi ke marne ki khabar sunana ya uske bare me baat
karna koi achi baat nahi hoti

Dad:- lai yaha itne saalon se koi lagatar mare jaa raha haiuske bare me toh tumne kuch
nahi kaha

Mom:- saalon se mare jaa raha hai? kya aap bhi kuch bhi bolte hain

Dad:- arre main sach bol raha hun

Mom:- acha toh kaun hai wo jo saalon se lagatar mar raha hai?

Dad:- hum aur kaun wo bhi aapke pyar me aapki khoobsurti me najane kitne saalon se
ghayal ho hokar mare jaa rahe hai par iss mudde pe toh aapne baat karna toh door gaur
tak nahi kiya jahan mom dad ki baat pe sharma gayi wahi meri hasi chhut gayi

Mom:- aap bhi naa kahi bhi shuru ho jaate ho ladka jawan ho gaya hai aur abhi tak aapka
flirt karna khatam hi nahi hua hai

Dad:- arre beta baap se nahi sikhega toh kya padosi se sikhega hum dono ko dekh kar hi
toh humara beta bhi apni gf se ya wife se aisi hi pyaar bhari baatein kar payega right son

Main:- 100 % right dad aur mom aap nahi janti ki aap kitni lucky hain dad ki tarah ke aashiq
aaj kal market me aana band ho chuke hain

Mom:- chup kar dekha aap ki hi tarah aapka beta bhi badmaash ho gaya hai

Dad:- waah bhai kuch acha kare toh tumhara beta aur badmaashi kare toh mera

guyz guyz time out main college ke liye late ho raha hun aap dono mere jane ke baad
aapka tom and jerry episode continue kar lena ok bye mom bye dad maine dono ko fatak
se hug kiya aur nikal gaya

Mom:- kya kaha tune tom & jerry haan ruk tujhe batati hun par jab tak mom ne ye baat
kahi main bahar nikal apni bike me baith college ke liye nikal chuka tha

Place: College:

lo aa gaya

Main:- hey guys

Teeno:- hey teeno se mera matlab Anjali Ronit aur Shanaya se hai
Main:- first lecture shuru hone wala hai aur ab tak tum sab yahi parking me khade ho

Ronit:- lo aur bolo bhalai ka toh zamana hi nahi raha saale tera hi intezar kar rahe the

Main:- toh isme bhalai wali kaun si baat ho gayi tu toh aise bol raha hai jaise main class
ka raasta bhul gaya hun

Anjali:- arre yaar hum sab ek saath class me jaate hain naa issliye tera intezar kar rahe the

Main:- chalo fir waise hum me ek abhi bhi kam hai

Shanaya:- haan wo Digvijay ke dad guzar gaye hain naa toh Avni Digvijay ke ghar gayi hui
hai guys main kya kehti hun first do lectures attend karne ke baad hum bhi chale kya?
Avantika ka call aaya tha wo kuch disturbed lag rahi thi

Ronit:- toh abhi chalte hain naa2 lectures tak rukne ki kya zaroorat hai

Anjali:- haan yaar chalo chalte hain

Main:- nahi first lecture ke baad chalte hain aaj first lecture ke waqt ek anouncement
hone wali hai

Shanaya:- kaisi anouncement

Ronit:- saale tune mujhe bhi nahi bataya?

Anjali:- tujhe nahi hume? chal chup chaap bata kya announcement hone wali hai?

Main:- abbe sabar naam ki cheez hai bhi ki nahi tum dono me first lecture ko time hi kitna
bacha hai chalo class sab pata chal jayega hum charon class ki taraf ki taraf chal pade

hello students I have an announcement to make abhi humara lecture ko start hue 5
minute hi hua tha ki class me lage speakers se Principal sir ki awaaz sunayi di ye speakers
hamare college ke har sectors ke claases me laga tha jiska main connection ya yun kahu
ki main mike Principal's office me tha jab bhi Princi ko koi announcement karni hoti thi
toh wo issi ke through karte the

Principal:- students I’am very happy to announce that 15 th october ko matlab aaj se thek
do hafte baad our college iss going to interested students apna naam mere office me aa
kar likhwa len & yes par student cost iss ek lakh aapko ye paise ek week ke andar andar
with your ******* office me jama karane honge aur issi ke saath annoucement khatam
ho gayi jahan sabhi class ke bacche announcement sunke khush ho rahe the wahi mere
dono dost mujhe ghur ghur ke dekh rahe the
Ronit:- ab bina naatak kiye ye bata ki ye sab kya hai? lecture khatam hone ke baad jaise
hi hum bahar nikle Ronit ne mere upar apna pehla sawal daaga

Shanaya:- Vj ne kya kiya?

Anjali:- ye idea management ke dimag me issi ne daala hai

Shanaya:- what? but how Vj aisa kaise kar sakta hai

Ronit:- aisa sirf yahi kar sakta hai Vj ke dad iss college ke main trustee hain

Shanaya:- really? wow yaar tumhari toh aish hai

Ronit:- aur pakka issi ne uncle ko bol kar ye prograamme set kiya hai kyu main thek bol
raha hun naa

Main:- kuch kuch

Anjali:- kuch kuch nahi sab kuch ab bata ye kya natak hai

Main:- abbe kaisa naatak aur tum dono ko toh khush hona chahiye wo chhod mujhpe
ghussa kar rahe ho aur saalon ab Avantika hamari bhi dost hai naa toh kaise dost ho tum
dono Shanaya ne bataya bhi tha ki Avni kuch disturbed lag rahi thi toh uske bare me
sochna chhodkar tum log mere peeche pad gaye

Shanaya:- haan guyz Vj sahi keh raha hai abhi hume Avni ke paas jana chahiye aisa nahi
tha ki main in dono ko sach batana nahi chahta tha par dono saale baatein hi bail buddhi
ki tarah kar rahe the Shanaya ke saamne hi shuru ho gaye issliye maine filhaal ke liye topic
ko Avni ki taraf ghuma diya waise iska ek aur bhi karan tha jo aapko kuch hi der me pata
chal jayega main bike se aaya tha Anjali aur Ronit aaj ek hi car se aaye the aur Shanaya
apni car se aayi thi hum sab apni apni gaadiyon se doggi arre sorry sorry Diggi bhai sahab
ke ghar ki ore nikal pade

Planet: World of Warriors Place: Odridge mountain

kya karun kuch samjh hi nahi aa raha hai saikdon spells try kar chuka hun par abhi tak iss
chattan ke mookh ko hatana toh door hila bhi nahi paya hun ab bas kuch hi aise spells
hain jinka abhi tak maine prayog nahi kiya hai agar isse kaam bana toh thek hai warna
mujhe uss spell ka prayog karna hi hoga raat ka waqt hai Defender ne warriors ki puri sena
ko jo subah se mountain me beech me jo gufa thi uske mouh ko todne ki nishfal koshish
kar rahe the unhe wapas ghar behej diya hai aur khud pichle ek ghante se laga hua hai par
abhi tak koi parinaam nahi nikla ab inke dimag me kaun se naye ideas aaye hai chaliye
dekhte hain

Defender:- asya dvitakaam anaya (dupicate it) Defender ne uss gufa ke charon taraf apna
haath ghumaya maano usse pura scan kar raha ho aur fir ye mantra bola uss gufa ke thek
saamne thek ussi ke jaisa ek aur chattan ban gaya balagra (extreme force) Defender ne
apne banaye chattan ko chkar iss mantra ka ucchanran kiya Defender ki banayi chattan
light speed se saamne wali chattan se takrayi aur boomm ye dhamaka itna tez tha ki aas
paas ki puri zameen tak hil gayi yaha tak ki Defender khud bhi udta hue door jaakar gira
dhamake ki wajah se chattan wali jagah ke aage gaadha dhua ho gaya tha Defender uth
kar gufa ke paas aa gaya kuch der baad jab dhua chatta toh Defender ka mouh utar gaya
gufa ab bhi pehli si hi thi uska mouh ab bhi band tha visphot agni prakatam (distruction
fire) Defender ne haath aage kar jaise hi ye spell bola uske haath ke thek aage agni prakat
hui ye koi aisi waisi agni nahi thi isme ek shahar ka samul vinash karne ki taakat thi jalika
mizranam karoti (iron mix) issi spell ke saath uss agni me pighla loha utarne laga dekhte
hi dekhte wo aag choudi hone lagi vaayu veg (air force) jaise hi wo aag choudi ho hokar
uss chataan ki size ki hui Defender ne upar likhe spell ko uccharit kar haath aage kar diye
wo aag vaayu ki speed ke saath aage badh chattan se takrayi booomm ek baar aur zor ka
dhamaka hua aur iss baar Defender sirf udta hua door nahi gira balki iss baar uska sharir
bhi kafi jagahon se fat gaya kyu ki Defender ke paas healing energy thi uski body dheere
dheere karke thek hone laga jab Defender ki body puri bhar gayi toh wo khada ho gaya

Defender:- ab bas ek hi raasta bacha hai agar maine ye kiya toh shayad meri mout ho jaye
par agar ye nahi kiya toh iss chattan ka mukh nahi khul payega aur iske fal swaroop lord
of devil mujhe maar denge jab marna hi hai toh kyu naa iss chattan ko khol kar hi marun
sampurna vinaashate anuvedhey (ye wahi mantra hai doston jise Vikram ne Madox ke
saath ladte hue aakhri me use kiya tha) Defender ke seene ke thek beech se ek ray nikil
aur uss chattan pr padi uss chattan me daraar padne laga jaise jaise ray gaadhi hoti jaa
rahi thi chattan me pada daraar bhi bada hota jaa raha tha aur achanak booomm aur iss
dhamake ne apna kaam kar diya chattan ke mouh ka patthar puri tarike se toot kar chur
chur ho gaya Defender wahi neeche zamin me pada hua tha uske pure sharir se khoon
nikal raha tha wo ek tak uss gufa ko dekh raha tha jiske andar se roshni fut rahi thi tabhi
arre ye kya aahhh Defender ki palke bhaari hone lagi uski aankhen band hone hi wali thi
ki achanak uss gufa me se ek white roshni nikli aur Defender par padi Defender ki cheekh
nikal gayi dard itna zyada tha ki Defender behosh ho gaya uske behosh hote hi uski body
hawa me uthne lagi arre ab ye kya ho raha hai darasal Defender ke sar se kaala dhua bahar
nikalne laga par isse bhi zyada shocking baat ye thi ki aisa lag lag raha tha jaise wo white
roshni uss black dhuen ko kheench kar bahar nikal rahi hai wahi Defender ne aakhri me
jis mantra ka uccharan kiya tha uski wajah se uski healing energy kaam nahi kar rahi thi
Defender ke body se khoon lagatar tapak hi raha tha black dhuen ke bahar aate hi white
roshni ne uss dhuen ke ird gird ek faans sa bana liya mano white roshni dhuen ka gala
daba rahi ho dhoobb ek halke aawaz ke saath wo kaala dhua nasht ho gaya par tabhi ek
nayi cheez hui white roshni ne Defender ko kheench gufa ke andar le gayi wo white roshni
ek patthar se aa rahi thi Defender ki body jaakar uss patthar se chipak gayi patthar se
chipakte hi ek second me hi Defender ki body theek ho gayi Defender wahi neeche zamin
par gir gaya par zamin me girte hi Defender ki aankhen khul gayi Defender ne jhuk kar uss
patthar ko pranam kiya tabhi uss patthar ne Defender se kuch kaha

Defender:- ye mere liye soubhagya ki baat hogi Defender ek aur baar uss patthar ke aage
jhuka aur gufa se bahar aakar gayab ho gaya Defender ke gayab hote hi gufa ka mouh fir
se band ho gaya

Planet: Earth Place: Digvijays house

ji aap sab? ye mere saath hain main Anjali aur Ronit jaise hi Digvijay ke ghar me enter
hone ko hue toh guard ne humse sawal kiya humare piche hi Shanaya aa rahi thi jise guard
achi tarike se janta tha Shanaya ke bolte hi wo hume sorry bolkar hath gaya

Ronit:- wow yaar ghar toh bohat acha hai Digvijay ka

Main:- abbe hum maaiyat me aaye hain party me nahi andar jaakar koi bakwas mat kar
dena iske baad Ronit ne kuch nahi bola aur hum charon andar aa gaye

Shanaya:- babes Avantika wahi gate ke side me hi Digvijay ki mom aur kuch ladies ke saath
baithi thi Shanaya aur uske saath hume dekh kar uski aankhon ki chamak jo kahi kho si
gayi thi wo waapas aa gayi yahi hai Vikram ye baat Digvijay ne jo ki dusre kone me khada
tha usne apne saath wale ke kaan main kahi thi jise sunkar uske saath wale ke saath saath
jo kuch aur log bhi the un sabhi ne sun li saale sabhi mujhe aise dekhne lage jaise agar
mouka mile toh mujhe abhi khaa jayen aur unka mujhe iss tarah dekhna jaayaz bhi tha
kyu ki Digvijay ke saath iss waqt 20 log khade the jinme se 17 toh Balbeer ke insaani
pehchaan wale the par 3 sabse alag the ye 3 the Abraxas Abbadon aur Lilitha the Lilitha
dusri side par khadi thi par uska thobda bhi Digvijay ki baat sun meri taraf hi ghum gaya
tha jahan jahan ye teen pramukh devil jaate hain uss jagah me ek ajeeb si manhusiyat
chaa jati hai uss jagah par moujud har shaksh ka mann negetive aur udaas ho jata hai yahi
wajah thi Avantika ko yaha kharab lag raha tha kyu ki ye ek mayaat ka ghar tha issliye usne
ya kisi ne iss baat par dhayan nahi diya par mere aate hi unki manhusiyat ya yun kahu
unke kaale saaye ka prabhav iss jagah se mit chuka tha issliye Avni ki aankhon ki chamak
bhi wapas aa gayi thi

Abraxas:- iski itni himmat ki aapke ghar me ghus jaye isse toh main

Digvijay:- shant ho jaao isse hum sidhe nahi ulajh sakte

Abraxas:- par kyu?

Digvijay:- maha mahim ka hukm hai issliye lord of devil ka naam sunkar Abraxas ka ghussa
raffu chakkar ho gaya

Digvijay:- main usse milkar aata hun Digvijay hamari taraf aane laga mera chehra Avni ki
taraf tha par mera dhayan Digvijay par hi tha Shanaya ne Avni ko aaj ke announcement
ke bare me bataya jise sunkar pehle toh Avantika khush ho gayi par fir kuch soch kar uska
chehra murjha gaya

Shanaya:- kya hua babes? mujhe toh laga tha ki ye baat sunkar tu khush ho jayegi tu toh
kabse yahi chahti thi

Avantika:- khush hokar kya faayda babes? Diggi toh jayega nahi aur in conditions me agar
main chali gayi toh usse bura lagega

Digvijay:- kisse bura lagega aur kaha jane ki baatein ho rahi hain?

Avantika:- actually woo

Main:- Digvijay yaar sorry for ur loss

Digvijay:- ab honi ko kaun taal sakta hai yaar waise kis bare me baat ho rahi thi?

Ronit:- arre yaar wo actually hamara college do hafton ke baad ek educational tour pe jaa
raha hai toh Avantika keh rahi thi ki Digvijay toh jayega nahi aur in condition me uska bhi
tumhe chhodkar jana thek nahi hai

Digvijay:- kya tum sab jaa rahe ho

Hum Sab:- haan

Digvijay:- (mann main) ye hui na baat ye Vikram ka bacha ab yaha hoga nahi fir main
Avantika ko araam se haasil kar lunga isse pehle ki ye sab Avantika ko manayen main
directly hi in sab ko Avantika aur meri taraf se mana kar deta hun
Digvijay:- actually guyz

Main:- are u kidding me Avantika sorry to say this yaar par tumse zyada toh tumhare bf
ko main samjhta hun isse pehle ki doggy arre mera matlab Diggi bhai sahab aage kuch
bolte maine apna mouh khol diya

Avantika:- matlab

Main:- matlab ye ki kya tum nahi janti ki tum kiski gf ho Mr goodie to shoe Mr soft hearted
Mr dariyal dil ki jab Diggi apne college ke first day ke lectures sirf issliye miss kar sakta hai
taaki ek mazloom budhi aurat ki jaan bacha sake usse hospital le jaa sake ek anjaan shaksh
ke liye itna kuch karne wale ko kya apni gf ki khushi ka khayal nahi hoga Digvijay ko achi
tarike se pata hai ki iss trip me jane ka tumhe kitna mann hai tum kitni zyada excited ho
toh tumne ye soch bhi kaise liya ki tumhare trip me jane se Diggi bhai sahab ko dukh hoga
ulta agar tum nahi gayi toh usse zaroor bura lagega kyu Diggi sach bol raha hun naa

Digvijay:- han haan bilkul sach Avni tum chali jao Digvijay ne apne kaale dil par patthar
rakh kar bola

Avantika:- sachh thank u so much Avantika Digvijay ko hug karne aage badhi par usse
pehle main jakar Digvijay ke gale lag gaya

Main:- u are great brother Digvijay ne bina kuch bole mere peeth par apne haathon ko
kasna shuru kar diya jaise hi ye baat mujhe mehsoos hui mere chehre par bhi ek
muskurahat aa gayi maine bhi apne haathon ko Digvijay par kasna shuru kiya Digvijay ko
apne side ribs par tez dard mehsoos hone laga uske haath jo mujhe kase hue the wo
dheele pad gaye wo andar hi andar chatpatane laga kuch der tak maine yunhi apni pakad
halki sakht rakhi fir maine usse chhod diya

Main:- dheere se maza aaya par iss waqt Diggi bhai sahab ne koi jawab nahi diya usse kafi
dard ho raha tha wo apne aap ko normal karne me lage hue the kuch der laga par fir
Digvijay normal ho gaya

Digvijay:- waise college tour kaha ka hai Digvijay ne meri taraf dekhkar daant chabaate
hue pucha?

Avantika:- Vaka zula Secrilla forest

Place: Menakshi Mansion


beta humne tumhe pehle hi maaf kar diya hai aur tumhe zara bhi guilty mehsoos karne ki
nazare churane ki zaroorat nahi hai aaj sunday hai subah ke 11 baj rahe hain aur kal
hamara Vakazula ka tour shuru hone wala hai issliye aaj hum ne shopping ka plan banaya
hai humne matlab main Anjali Ronit Shanaya aur Avantika ne hamara ye plan kal college
me hi ban gaya tha hum sab mere ghar se ek saath shopping ke liye niklane wale the
Shanaya aur Avantika ne waise toh mere ghar aane ke liye haan toh keh diya tha par main
janta tha ki hamare purane experiences ki wajah se Shanaya aur Avantika dono hi mere
mom dad ke saamne aane se hich kichayenge issliye maine Anjali se Shanaya aur Avantika
ko mere ghar lane ke liye keh diya tha par yaha aate hi Avantika aur Shanaya dono ko hi
awkward lagna shuru ho gaya tha jise mere mom dad ne notice kar liya tha

Avantika:- ye toh aapka badappan hai aunty warna humne jo bhi kiya wo maafi ke kabil
nahi hai

Mom:- ye jo mera beta hai naa iski bas age kam hai dimag ke maamle me faisle lene me
iski samjhdaari humse kahi zyada hai iska tumse dosti karna hamare ghar me invite karna
iss baat ka suboot hai ki tum dono achi ladkiyan ho

Naanu:- bilkul sahi toh ab apne aap ko galat maanna band karo

Dad:- aur apne janm sidh adhikar ke bare me discuss karo

Mom:- janm sidh adhikar matlab

Dad:- shoppingaur kya dad ki baat sun hum sab hans diye

Mom:- jungle me jane ke liye bhi bhala koi shopping karta hai kya? mujhe toh ye samjh
nahi aa raha hai ki ek jungle me wo bhi videsh ke jungle me education tour kaun rakhta
hai?

Main:- arre mom ye koi educational tour nahi hai balki ek geographical aur reserch tour
hai aur aapko pata hai Secrilla forest me camping karne ka aur research karne ka
permission milna kitna mushkil hai infact humara college India ka first college hai jise
Secrilla forest me jane ki permission mili hai

Nani:- beta jungle hai wo bhi tumhare bolne se hi pata chalta hai ki kitna ghana hoga toh
waha jungli jaanwaron ka kahtra bhi toh hoga naa

Main:- uski tension mat lijiye nani hamare safety ka saara intezaam Vakazula ki
government karegi
Anjali:- bohat maza aane wala hai Hum

Sab:- yesssss

Main:- acha mom dad naanu nani hum sab shopping ke liye nikalte hain

Mom:- arre aise kaise? Avantika aur Shanaya pehli baar hamare ghar aaye hain unhe pura
ghar toh dikha

Avantika:- nahi nahi aunty fir kabhi dekh lenge

Dad:- arre beta aaj sunday hai malls thode late hi khulte hain itni jaldi jaakar karoge kya?
bacchiyon ko ghar hi dikhade kuch der fir nikal jana

Ronit:- tu dikha mujhe toh bhuk lag gayi aunty kuch khaane ko do naa

Anjali:- shuru ho gaya bhukkad

Main:- ok tu thoos main aur Anjali inhe ghar dikha kar laate hain tabhi Shanaya ne Anjali
ke kaan me kuch kaha jise kisi aur ne toh nahi par maine sun liya tha madam ko bathroom
jana tha

Anjali:- Vj hum zara aate hain tab tak tu Avni ko ghar dikha de

Main:- cool chalo fir main aur Avantika bahar ki taraf chal diye

Mom:- bahar kaha le ja raha hai?

Main:- mom yaha ghar aate waqt Avantika kafi nervous thi issliye I am damn sure usne
bahar kuch bhi notice nahi kiya hoga waise bhi shururat toh shuru se hi karni chahiye naa
main Avantika ko lekar lawn ke right side par bane pool ke paas aa gaya

Avantika:- wow kitna khubsoorat fountain hai maine sach me andar aate waqt dhayan
nahi diya tha hamare pool ke paas hi ek fountain bhi tha Avantika ne usse dekhkar ye
gesture diya tha

Main:- issliye toh tumhe firse bahar laya hun pata haijab dad ne ye ghar banwaya tha tab
ye nahi tha iss ghar me mom ke first birthday par dad ne ye mom ke liye banaya tha

Avantika:- banaya nahi banwaya tha bolo

Main:- nopes banaya tha isse dad ne apne haathon se shape up kiya hai isse banane me
dad ko kuch do hafte lage the pata hai un do hafton ke liye jab dad isse bana rahe the tab
dad ne mom ka yaha aana ristrict kar diya tha piche ki taraf se ek gate banwaya gaya tha
un do hafton me mom dad har koi wahi se aana jana karta tha

Avantika:- wow how romantic tumhare mom dad ki love marriage hui hai kya?

Main:- yup and they are the best couple in the universe main ye issliye nahi keh raha hun
kyu ki main unka beta hun par issliye kyu ki shayadi ke itne saalon ke baad aaj bhi dono
ke pyaar me halki si bhi kami nahi aayi

Avantika:- issiko toh perfect match bolte hain waise ek baat batao maine suna hai ki
tumhare dad ek genius hain wo aaj jis position me hain wo unhone apne dum par haasil
kiya hai unki guniessness looks toh tumne inherit kar li hai fir romance ke department me
kaise piche reh gaye?

Main:- matlab?

Avantika:- arre abhi tak tum single ho naa aur jahan tak maine tumhe samjha hai tum
smart ho intelligent toh kuch zyada hi ho sab kuch ho bas romantic zara sa bhi nahi ho

Main:- aur aap ye kis logic ke madde nazar keh rahi hain

Avantika:- simple hai college ki lagbhag sabhi ladkiyan tumpar marti hain par tum ho ki
kisi ko ghaas tak nahi daalte iss baat se samjh aata hai ki Vj sab kuch kar sakta hai bas
romance ke department me uska haath zara tight hai logic clear hua?

Main:- muskurate hue maam jab baat romance kiishq kimohobbat ki ho naatoh logic nahi
magic kaam aata hai aur rahi baat samjhne ki toh aapne hamari harkaton se hame
samjhne ki koshish ki hai harkaten dimag ki upaj hai aur ishq dil ki dil ki baaton ko samjha
nahi jata mehsoos kiya jata hai maine ye saari baatein Avantika ke aankhon me dekhkar
ki thi aur Avantika toh jaise meri baaton ko mere zubaan se nahi balki mere aankhon se
sun rahi rahi thi mehsoos kar rahi thi wo ek tak meri aankhon me dekhe jaa rahi thi najane
meri aankhon me kya khoj rahi thi hey guyzz whats up? iss awaaz se Avantika aur mera
dhayan toota saamne se Shanaya aur Anjali aa rahe the dono ek dusre se baatein karte
hue aa rahe the issliye unhone humpe zyada gour nahi kiya tha

Shanaya:- Vj I must say u live in a very beautiful house aur sabse acha toh mujhe tumhara
room laga so many memories haan oh wow yaar what a fountain baatein karte karte hi
achanak Shanaya ka dhayan hamare side ke fountain par gaya

Anjali:- hai naa amazing aur iske banane ki story toh aur amazing hai Vj tune toh Avni ko
iske bare me bata diya hoga maine han me apna sar hilaya
Anjali:- toh tu Avni ko andar se ghar dikhala tab tak main aur Shanaya yahi baithe hain tab
tak uss bhukkad ka thoosna bhi finish ho jayega

Main:- cool chalo Avni main Avni ko lekar ghar andar aa gaya kuch hi der me maine usse
apna pura ghar dikha diya siwaaye apne kamre ko chhodkar

Avantika:- Shanaya sahi bol rahi thi u really live in a very beautiful house par abhi tak
tumne apna room nahi dikhaya

Main:- wahi le jaa raha tha aur hum mere room me aa gaye

Avantika:- wow yaar itne photos Avantika mere room me lage photos ko dekh kar shocked
ho gayi mere room ke ek diwaal me bachpan se leke ab tak ki mere Anjali aur Ronit ki saari
photos lagi thi aur saari photos kafi funny thi jisme zyatar hum teeno ek dusre se ladhte
hue ya koi alag shararat karte hue nazar aa rahe the dusri wall par meri aur mom dad ki
photos thi third diwal par hamari teeno families ki photos thi aur aakhri diwal par as
normally zyatar ladkon ke walls par hota hai bikes aur cars ki photo lagi hui thi

Avantika:- I am so jeleous yaar photos dekhkar hi pata chal raha hai ki tum teeno ne kitni
masti ki hai I wish I could also had been a part of thi s

Main:- tab nahi hui toh toh kya hua ab toh ho gayi ho naa

Avantika:- haan aur ab yaha par agli photos hamare tour ki lagegi jisme main bhi rahungi
right

Main:- haan par ek shart par

Avantika:- shart kaisi shart?

Main:- fountain me hamari jo baat hui uske baad se main dekh raha hun tum kuch khoyi
khoyi si ho batao kya baat hai? Avantika meri baat sun hadbada gayi

Avantika:- nahi yaar aisa kuch nahi hai

Main:- sorry then mere room me tumhare pics nahi lag sakte iss wall par sirf unke hi pics
hain jo mujhe apna maante hain aur jo apna maante hain wo baate nahi chhupaate khair
choddo hum neeche chalte hain main jaise hi palta Avantika ne mera haath pakad liya

Avantika:- tum naa bohat bade noutanki ho

Main:- main noutanki hun ya tum arre jab dost maana hai toh aitbaar karna bhi sikho naa
problem hai toh share karo kya pata shayad solution nikal aaye
Avantika:- hmm par abhi iske bare me baat karna theek nahi hai but I promise jab mujhe
lagega ki mujhe batana chahiye main tumse apni baat zaroor share karungi

Main:- promise karne ki zaroorat nahi hai Avni after all its your life aur tumhari life ke har
faisle lene ka hak bhi sirf tumhe hi hai aur jahan tak advice ki baat hai toh uske liye Baba
Vj aapki sewa me har waqt haazir hain meri baat sunkar Avantika ke chehre par smile aa
gayi

Main:- ab chalen jab baat shopping ki aati hai toh Anjali madam ko wait karna bilkul
pasand nahi

Avantika:- Anjali hi nahi ye baat hum sabhi ladkiyon pe laagu hoti hai

Main:- than what are we waiting for let's go main aur Avni neeche aa gaye hamare sabhi
friends wahi fountain ke paas hi khade the hum sab shopping ke liye nikal gaye fir din bhar
ki parade ke bare me aapko kya bataun meri aur Ronit ne toh kuch casual sports wear hi
liye jo ki jungle me kaam aane wale the par in ladkiyon ka toh hum dono ko kuch samjh hi
nahi aaya aur naa hi hum samjhna chaahte hain inhone pure 6 ghante shopping ki aur wo
sab kuch kharida jo tour me hamare kisi kaam nahi aane wala hai khair iss baat pe tippani
matlab comment karna khud ke hi pair par kulhaadi maarne jaisa tha issliye hum dono
bas inke bags uthaye piche piche chalte rahe iss chakkar me kab shaam ho gayi pata hi
nahi chala shopping kar Avantika aur Shanaya ko hum teeno ne unke ghar drop kiya aur
kal airport me milne ka bol hum bhi apne apne ghar aa gaye

Wahi dusri taraf:

Kaali rays jinke andar bohat zyada maatra me kaali shaktiyan thi wo ek bande ke andar
samane lagi uss bande ki aankhon me asahniya dard ki lakire dikhne lagi ki tabhi

1st:- aap tayar toh hona

2nd:- haan par uske baad aap samjh rahe hain naa

3rd:- aapko bhi pata hai ki hume iss baat ki chinta karne ki aawashyakta nahi hai aap bas
khydko iss samay ke liye tayar karo aur ye bol jaise hi 1st bande ne 2nd bande ko chhua 2nd
bande ki neend khul gayi neend tutate hi uss bande ne apne aas paas nazar doudayi uss
bande ke samjh me aa gaya ki ye ek sapna tha par saath hi bhavishya ka aayna bhi 2 nd
bande ke chehre par ek muskaan aa gayi aur wo wapas neend ki gehraiyon me kho gaya

Place: Airport
kaha ho tum log yaar? flight announce ho chuki hai hamaare college ke saare students jo
iss tour paa jaa rahe the wo sabhi aa chuke the hum teeno hi last me pahunche the aur
iska main reason tha hum teeno ki moms jinho ne hume kya karna hai kya khaana hai aur
wagairah wagairah ki itne insturctions diye maano khud kayi saare ka adventure trips me
jaa chukin hon wo toh bhala ho dad ka jinho ne hume waqt rehte beech me aaakar mom
ki baaton ko khatam kiya sabhi hume chhodne aane wale the par humne kisi tarah sabko
nahi aane ke liye manaya warna yaha airport me bhi moms shuru ho jaate

Shanaya:- ye lo tum teeno ki boarding passes

Anjali:- yaar abhi tak toh koi aaya bhi nahi aur tum hume hi daant rahi ho

Avantika:- oh hello sab already check in kar chuke hain hum tumhara wait kar rahe the

Main:- tum dono naa yaar baaton me bohat time waste karti ho already late hain tumhari
baaton ke chakkar me aur late ho jayenge

Avantika:- kya kaha? hum late kar rahe hain ruko toh zara par main kaha rukne wala tha
main turant 1st gate se andar ghus gaya hum apne checking counters clear kar runway se
hote hue apni flight me chaddh gaye kismat se meri aur Avantika ke seats aaju baaju the

Avni:- haan hello haan main flight me hi hun haan on time hai haan baba karungi arre
yaha sab hain naa yaar tum itne sawal kyu puchte ho? main tumse baad me baat karti hun
bye abhi hum apni apni seats par baithe hi the ki Avantika ke mobile par call aaya main
samjh gaya tha ki ye doggy arre mera matlab Diggi bhai sahab ki call hai abhi main kuch
kehta usse pehle hi Avni ka mobile fir se baj utha & guess what iss baar bhi Diggi bhai
sahab ka hi phone tha

Airhostess:- maam please swith off ur mobile the flight iss about to take off Avantika ne
just call pick hi kiya tha ki air hostess ne aakar Avantika ko call band karne ke liye kaha

Avantika:- yaar flight take off hone wali hai main tumse baad me baat karti hun Avantika
ne bina saamne ki koi baat sune mobile kaata aur fir band kar diya

Main:- waise normally apne bf ka call dekh ladkiyan khush hoti hain par tum toh phone
hang up karne ke baad khush lag rahi ho

Avantika:- aisa nahi hai yaar wo Airhostess ne kahanaa ki swith of ur phone bas issliye
Main:- Avni tum mujhse jhoot bol sakti ho par kamse kam khudse jhoot mat bolo aur ek
baat bataun uss din bhi tum Digvijay ke bare me hi kuch soch rahi thi meri baat sun pehle
toh Avantika shocked ho gayi par fir turant sambhal kar

Avantika:- aisa kuch main beech me hi maine kahanaa ki tum mujhse jhoot bol sakti ho
par kamse kam khudse toh sach bolo dekho flight bohat lambi hai araam se socho aur
waise bhi mujhe flight me sone ki aadat hai tum socho main chala sone maine apne
maathe se eye packer nikal apne aankhon me lagaya aur so gaya wahi Avantika meri
baaton par sochne lagi

chaliye jab tak flight Vakazula me land hoti hai tab tak ye achanak tour ka plan mere dimag
me kaise aaya aapko batata hun darasal baat ye hai ki jab se main Lord of Angel bana
hunmujhe iss bramhaand me har wo jagahjahan barrier shield (jise chezon ko dikhne se
roka jaa sakta hai) na lagi howo dikhti hai aur ek khaas baat jab bhi main sota huntoh
sapne me mujhe kuch khaas jagah dikhte hain main har roz subah dhayann ki awastha me
in jagahon ko apne idriyon me punah jaagrit karta hun aisa karne se ye saari jagahen mere
saamne ek ke baad ek kram anusaar dikhne lagti hain iss kram me sabse aage Secrilla
forest rehti hai jise main ye samjh gaya ki sabse pehle mujhe yaha hi jana hoga semester
ke beech me aise hi toh main yaha nahi jaa sakta tha issliye maine dad ko yaha jane ke
liye ek geographical tour arrange karwaane ko kaha aur issi wajah se aaj hum iss flight par
hain

Place: Palamfos Vakazula's capital

Subah 6 baje ke kareeb hum Palamfos airport se bahar aa chuke the hume lene ek large
luxery bus aayi hui thi hum sabhi uss bus par chadh gaye

Teacher:- so guys finally hum Vakazula ke capital city Palamfos me pahunch gaye hain
yaha se Secrilla forest kareeb 200 km door hai hume Secrilla forest ki sarhad tak pahunhte
pahunchte shaam ho jayegi forest ki paas hi ek out house resort hai aaj ki raat hamare
rehne ka wahi arrangement kiya gaya hai kal morning se hum Secrilla ko explore karna
shuru kare ge 15 ghante ki flight ke baad 67 ghante ka bus ride waise toh kafi exausting
tha par tour ke excitement ki wajah se masti karte karte kab hamara resort aa gaya pata
hi nahi chala resort wakayi kafi khoobsurat tha hum sabhi apne apne rooms me fresh
hone chale gaye mujhe aur Ronit ko ek room allot hua tha

Anjali:- tum dono yaha movie dekhne aaye ho kya? dinner ke baad maine aur Ronit ne
laptop pe movie dekhna ka plan banaya tha humne bhi laptop start kiya hi tha ki itne me
hamare plan ki dhajjiyan udaane ke liye Anjali madam aa gayi
Ronit:- toh abhi raat ko aur kya kare fir?

Anjali:- Shaifali ne kuch game socha hai chalo khelte hain Shaifali second year Bcom
student thi hamare college ke funtions me yahi hosting karti thi naye naye games soch
kar khelanaye iska ek ajeeb shouk tha

Ronit:- tu hi khel hum toh movie dekhenge

Anjali:- main pooch nahi rahi hun bata rahi hun agar tum dono turant uthkar mere saath
nahi chale toh ye laptop tumhe sidhe tour ke baad milega hume pata tha ki agar humne
iski baat nahi maani toh ye jo bol rahi hai wo kar bhi degi issliye humne laptop band kiya
aur chup chaap Anjali naam ki panouti ke peeche peeche chal diye

Shanaya:- hey guys jaldi aao dekho Shaifali ne kya mast game socha hai resort ke beech
ek bada sa garden tha jiske beech me iss waqt ek bonfire jal raha tha aur uske aas paas
saare students jo ki total me kul 50 the baithe hue the aur saare students ke beech Shaifali
madam khadi hui thi maano koi class le rahi ho hum bhi Shanaya aur Avni ke paas jaakar
baith gaye

Shaifali:- toh guys game ekdum simple hai par kafi interesting hai mere paas sabhi
students ke naam ke chits hain jise maine do hisso me baat diya hai ek hisse ke chits me
ladkiyon ke naam hain aur dusre hisse me ladkon ke main randomly ek chit ladkiyon ke
hisse se uthaungi aur ek ladko ke hisse se aur jo do naam ke chits open honge unhe ye
game aapas me khelna hai game ka naam hai reflex answers hoga ye ki dono me se ek
sawal karega aur dusre ko turant jawab dena hai fir sawal karne wale ko ussi jawab se ek
naya sawal paida karna hai jiska uske partner ko firse turant jawab dena hai for example
ek ne kaha aakash toh uske partner ko aakash shabd se jo bhi yaad aata hai wo turant
kehna padega aur fir ussi jawab se pehle wale ko ek naya sawal banana padega aur ye sab
dono ko fata fat matlab bina soche jo bhi jawab unke dimag me aaye usse dete hue karna
hai ye sab tab tak chalega jab tak ki dono partners me se koi ek pause na le le pause lete
hi unki baari khatam jo jodi sabse zyada questions aur unke answers degi wo jeet jayegi
toh are u all guyz ready shuru kare? sabhi game ke rules jaankar kafi excited ho gaye the
Shaifali ne chits ke according jodiyan bana di

Shaifali:- toh pehli jodi hai Shanaya aur Rizwan Rizwan hamara hi ek classmate tha dono
aamne saamne aa gaye

Shaifali:- toh sawal kaun karega aur jawab kaun dega?

Shanaya:- main sawal karungi


Rizwaan:- ok

Shaifali:- cool then shoott

Shanaya:- kaala moti kya hai?

Rizwan:- aankhen

Shanaya:- aankhon me kya hai?

Rizwan:- nazar

Shanaya:- aur nazro me kya hai?

Rizwaan:- aannn nazro me

Shaifali:- time out guyz sochna allowed nahi hai aap dono out ho gaye toh dekha guyz
jitna mazedar dikhta hai utna hi mushkil bhi hai ab second jodi aur aise hi ek ke baad ek
jodiyan aati gayi jo jodi abhi tak sabse aage thi unhone total for answers diye the ab total
for log bache the Ronit main Anjali aur Avantika Shaifali ne firse chit uthayi aur iss baar
jodi bani Ronit aur Anjali ki jiska matlab tha ki iss game ki aakhri jodi main aur Avantika
the Avantika mujhe dekhkar muskura rahi thi aur main usse dekhkar

Shaifali:- sawal kaun karega?

Anjali:- main

Shaifali:- ready Anjali aur Ronit ne haan me sar hila diya

Anjali:- sapna kya hai?

Ronit:- jo neend ko dilchasp bana de

Anjali:- aur tumhari dilchaspi kisme hai?

Ronit:- khaane me Ronit ke aisa bolte hi Anjali ki hasi chhut gayi uski kya hum sabhi hans
diye jise Ronit hadbada gaya

Anjali:- dheere se bhukkad

Shaifali:- toh Anjali aur Ronit bhi game se bahar ho gaye aur ab hamari last jodi ab chits ki
toh koi zaroorat hi nahi hai toh Avantika aur Vikram saamne aa jao hum dono ek dusre ke
saamne aa gaye

Avantika:- main sawal puchungi?


Shaifali:- cool then abhi tak jawab dene wala hi pehle chup hua hai dekhte hain aap dono
me se pehle kaun chup hota hai?

Avantika:- bharosa kya hai?

Main:- aisa yakeen jo dekhhne walon ke mann main shak paida kar de

Avantika:- shak acha hai ya bura?

Main:- ache ke liye bura aur bure ke liye acha

Avantika:- achaai kya hai?

Main:- jo insaan ko insaan banaye rakhe

Avantika:- insaan ka asli khuda kaun hai?

Main:- insaaniyat

Avantika:- insaaniyat aur mohobbat me se kisi ek ko chunana ho toh

Main:- jisme insaaniyat hi nahi wo mohobbat nahi kar sakta

Avantika:- mohabbat kya hai?

Main:- ibaadat

Avantika:- kiski ibaadat?

Main:- ehsaas ki

Avantika:- kaisa ehsaas?

Main:- khud ke pure hone ka

Avantika:- khud ko pura karne se kya milta hai?

Main:- sukoon

Avantika:- sabse bada sukoon kya hai?

Main:- dua

Avantika:- dua agar dikhne lage toh kaisi dikhegi?

Main:- khubsoorat

Avantika:- aur khoobsurat kaun hai?


Main:- tumm main jeet gaya

Place: Secrilla forest

Secrilla forest world ka sabse ghana forest maana jata hai ki ye forest insaano ke evolution
se bhi pehle ban chuka tha Secrilla forest me kareeb 30 waterfalls hain jo ki world me aur
kisi forest me nahi hain jis book me ye baat darj hui hai ki iss jungle me 30 waterfalls hain
unhone ye baat likhne ke baad fullstop nahi balki exclamation mark lagaya hai jiski wajaha
ye hai ki aaj tak koi bhi insaan Secrilla forest ko puri tarike se nahi ghum paya hai toh ye
kehna mushkil hai ki iss jungle me bas 30 hi waterfalls hain iss forest me najane kitne
shodh karta aaye hain aur unhone yaha par aakar bohat se research kiye hain iss forest
me kayi aise ped poudhe hain jinse bohat saare uncureble desease ko cure karne wali
medicines bante hain par shodh kartao ka ye maanna hai ki abhi tak iss forest ke bas 10
percent life saving plants aur trees ka hi pata wo laga paye hain unka daawa hai ki agar iss
forest ko puri tarike se khangala jaye toh aur bhi bohat si aisi adbhudh plants ko khoja jaa
sakta hai jinse jeeven deyi medicines banaye jaa sakte hain aaj se do saal pehle ek
shodhkartaon ki team kuch medicines experts ke saath iss jungle ke andar gayi thi par aaj
tak wo wapas nahi loute tab se iss jungle ke andruni bhaag me jana ban kar diya gaya hai
iss jungle ke bare me kuch ancient books aur mythological books me bhi likha gaya hai ek
mythological book ke anusar Secrilla jungle ke beech ke sabse ghane bhaag shaapit hain
kyu ki yaha kuch devils ka waas hai ye sab bolkar hamara tour guide kuch der ke liye chup
hua morning ka time hai hum sab ready hokar resort ke bahar nikal aaye hain jahan
hamare college ke ek teacher ne hame hamare tour guide se intoduce karwaya hum sab
ko pehle se hi bata diya gaya tha ki hum sab loose stretchable kapde hi pehne toh hum
sab ussi get up me the hum sab Secrilla forest ke starting point par khade the humse kuch
door hamare saamne se hi ek patton se bicha raasta jungle ke andar jaa raha tha aur
hamare left aur right side me 10 jeeps khadi thi jise hum apne aage ka safar karne wale
the hamare tour guide ne hame uss starting point me hi khade kar sabse pehle Secrilla
forest ke bare me jaankari di

Guide:- toh guys are u all ready for the adventure aage badhne se pehle me aap sab ko
warn kar dun ki ye koi zoo nahi hai ye ek real life adventure trip hai jisme kuch bhi ho
sakta hai par agar aap sab ek saath rahen aur mere dwara diye gaye guidelines ko follow
kare toh I assure u ki aapka ye trip kafi mazedaar hoga aap sab kul 50 students hain jinhe
hum do groups me baantenge jab tak aap yaha hain aapko apne groups me hi rehna hai
abhi ke liye teachers please divide them into two groups humarae saath kul 6 teachers
aaye the unhone hume do groups me baantana shuru kiya
Main:- sir hum sabhi frndz ek group me rahenge sir jante the ki main kaun hun issliye
unhone meri baat bina naa nukur ke maan li

Main:- Ronit sun toh maine Ronit ko bulaya aur usse kuch kaha jise sunkar uske chehre
par muskaan aayegi

Ronit:- ab aayega maza

Main:- abbe excitement ke chakkar me overshow mat kar dena samjha

Ronit:- haan bhai tu tension na le main sab sambhal lunga par Anjali

Main:- time dekhkar usse bata dena

Anjali:- ye tum dono aapas me kya khusur fusur kar rahe ho? humne peeche palat kar
dekha toh Anjali Shanaya aur Avantika humari taraf hi aa rahe the

Main:- nothing babes just biriyani

Shanaya:- matlab

Main:- arre jaise ladkiyon ki talk khichdi hoti hai naa waise hi ladko ki talk biriyani hoti hai

Anjali:- haan baasi wali

Main:- jab shakal acchi na ho naa toh kamse kam baatein achi kar leni chahiye meri baat
sun Ronit Shanaya aur Avantika hasne lage

Guide:- lets go guys get in the jeeps abhi Anjali kuch kehti usse pehle hi guide ki awaaz
sun hum sabka dhayan uske upar chala gaya groups ban chuke the hum sabhi masti karte
hue ek jeep me baith gaye jeep Secrilla ke andar chal padi

Wahi dusri taraf:

Place: Digvijay's farm house

aisa hi chalta raha toh baazi mere haath se nikal jayegi subah ka waqt hai Digvijay iss waqt
apne farm house me baitha hua hai infact wo kal subah se hi yahi par hai jab se Avantika
Secrilla gayi hai Digvijay apni maya drishti ke sahare lagatar uspe nazar gadaye hue hai
flight me aur fir raat ko jab Avantika aur Vikram aaju baaju aur aamne saamne baithe the
tab Digvijay ko dono ki hi body se kuch energies nikalkar ek dusre me samate hue mehsoos
hui thi
Digvijay:- (mann main) iss Vikram ko Avantika se kisi bhi tarah door karna hi padega bhale
iske liye mujhe Avantika ko ghayal hi kyu na karna pade Abbadon Lilitha Abraxas Digvijay
ke ye teen naam pukarte hi teeno Digvijay ke saamne prakat hue

Lilitha:- hum aapke liye kya kar sakte hain master?

Digvijay:- tum teeno ko Secrilla jungle me apna maaya jaal bichana hai jisme mere college
ke students baar baar fasen hum Vikram pe humla nahi kar sakte toh kya hua? uske saath
walon par toh kar hi sakte hain naa iss tour me kamse kam ek student ki jaan toh jaani hi
chahiye ye tour Vikram ke dad ne Vikram ke kehne par hi organize kiya hai agar iss trip
me kisi ek ki bhi mout ho jaye toh saara ilzaam dono baap bete par hi lagega

Abbadon:- par jahan tak hume maalum hai uss ladke ka baap bohat hi pahuncha hua
aadmi hai wo khudko aur apne bete ko saare ilzaamo se mukt kara hi lega

Digvijay:- janta hun par ye karne ke liye usse thoda waqt lagega kuch waqt ke liye hi sahi
Vikram bhi apne baap ke saath busy ho jayega aur itna hi kafi hai mujhe apne kaam ko
anjaam dene ke liye aur ek baat tumhe Avantika ko sabse pehle ghayal karna hai taaki wo
iss tour ko chhodkar waapas aa jaye isse mujhe thoda aur waqt mil jayega

Lilitha:- par agar Avantika ke ghayal hone par Vikram bhi uske saath waapas aa gaya toh?

Digvijay:- ye toh aur bhi acha hoga fir waha students ko bachaane wala bhi koi nahi hoga
waha itne hadse ho jayenge ki Vikram ko unse nipatme me hi kafi waqt lag jayega

Abraxas:- aap jaisa chaahte hain waisa ho jayega

Digvijay:- par ek baat ka tum teeno ko khaas dhayan dena hai tumhe apna har maayajaal
ussi waqt bunana hai jab tumhe uska proyog students ke upar karna ho agar tumne pehle
se traps bicha diye toh Vikram ko pata chal jayega aur wo un traps ko nasht kar dega

Abbadon:- aap bilkul chinta na kare ham aakhri waqt par apne traps bichaenge jise Vikram
kabhi samjh nahi payega

Digvijay:- bohat acche aab tum jaa sakte ho teeno devils ne ek baar Digvijay ke saamne
sar jhukayea aur gaayab ho gaye

Digvijay:- baatein toh koi bhi kar leta hai Vikram par duniya uske aage jhukti hai jiski
zubaan nahi kaam bade hon

Back to hero:
Place: Secrilla first check gate

sir permit copy aur students ki id nikaal lijiye yaha zaroorat padegi drive ke kuch aadhe
ghante ke baad hum sabki jeeps Secrilla forest ke first check point ke saamne ruki yaha
par Secrilla permit ki copy aur ids checking hoti thi humne apni ids pehle hi teachers ke
paas jama karwa di kyu ki hamari jeep sabse aage thi aur incharge teacher humare hi
saath baithe hue the issliye guide hamare paas aaya tha incharge teachers ne apne bag
se permit copy aur hamari id ki copies nikali aur guide ke saath chale gaye

Anjali:- yaar hum jaise jaise andar ja rahe hain ye jungle utna hi ghana hote jaa raha hai

Avantika:- aur khubsoorat bhi

Ronit:- jaise tumm Ronit ke aisa bolne par ab uski taraf shock hokar dekhne lage

Ronit:- arre yaaron kal raat ko Avantika ke khubsoorat wale sawal par Vj ne yahi kaha tha
naa tumm wahi keh raha hun Ronit ki baat sunkar sabhi ko kal ki kheli hui game yaad aa
gayi aur sab hans diye siwaaye Avantika ke uss bechari ke toh sharm se gaal laal ho gaye

Shanaya:- oye hoye dekho toh zara meri behan ke toh gaal hi pinks hue pade hain Shanaya
usse gudgudi karne lagi jise Avantika ki bhi hasi chhut gayi

Anjali:- lekin maanna padega kal Avantika ne kitne ache sawal puche aur Vj ne utne hi
ache jawab diye

Ronit:- sab meri sangat ka asar hai

Anjali:- haan sahi kaha dilchaspi kisme hai? khaane me yahi hai na teri sangati Anjali ki
baat par Ronit jhemp gaya usse bhi apne kal wale diye jawab yaad aa gaye tabhi hamare
teacher wapas aakar baith gaye saari formalities puri ho chuki thi hamare jeeps ek baar
firse aage badh gaye kuch 10 minute ki drive ke baad humari jeeps ruke

Shanaya:- wow yaar what a waterfall hum apne pehle halt ke saamne aa chuke the ye ek
bohat hi bada waterfall tha jitna bada tha utna hi khooburat bhi waterfall ke opposite side
me ghaas se bani kafi badi jagah thi hamare iss pure jeep ke safar me ye jagah sabse zyada
khuli hui thi in short a perfect place for camping

Guide:- students ye waterfall Secrilla ka 3rd waterfall hai pehle do waterfalls hum cross kar
chuke hain par kyu ki wo jungle ke kuch andar ki taraf hain issliye aap unhe nahi dekh
paye aapke left side me jo khuli jagah hai aaj hum ussi jagah par camping kare ge aap apne
bags ussi jagah par rakh dijiye ab hum sab yaha se paidal hi jungle ke andar ki taraf jayenge
hum sabne apne apne bags ek jagah par rakh diye guide apne saath ek extra bande ko
laya tha jiska kaam hi humare ruke hue jagah ki nigraani karna tha wo uss khule jagah par
hi ruk gaya

Guide:- ok now jaisa ki maine aap sabhi se kaha tha ki hum as do groups aage badhenge
toh ek group mere left side aa jaaiye aur dusra group right par hum uski right side par
aakar khade ho gaye

Guide:- ek baat yaad rakhiyega ki ab aap apni duniya ko chhodkar Secrilla ki duniya me
hain yaha par aapke sabhi kaam aapko khud hi karne honge now question time aap sabhi
iss duniya ke sabse bade forest me aaye hain toh kuch infos toh aap sab ne bhi yaha ke
bare me zaroor nikali hogi toh ab main aapse Secrilla ke bare me ek question puchunga
jis group ke student ne uss sawal ka jawaab de diya uska group winner ban jayega aur aaj
ka khaana loosing group ko banana padega so here's the question

Secrilla ''the mystry'' jo ki ek bohat hi famous mythological book hai uske anusar Secrilla
ke uttari chhor ke aakhir me ek waterfall hai jise aaj tak koi dhund nahi paya waha par ek
bohat hi naayab ped hai uss ped ki kya khasiyat hai? Avantika ne apna haath upar kar diya

Guide:- bataiye

Avantika:- punar jeevan dene wale patte maana jata hai ki uss ped ke patton ko uss
waterfall se jiska paani atti shudh hai ussi paani se bhigokar ghisne se jo jadibuti banti hai
usse agar kisi aise vyakti ko khilaya jaye jiska sharir kaale jaadu ke prabaav se bekar ho
gaya ho aur wo marne wala ho usse bhi bachaya jaa sakta hai

Guide:- amazing absolutely right aaj aapki wajah se aapki team khaana banaane se bach
gayi

Anjali:- waah yaar itna kuch tumhe kaise maalum pada?

Avantika:- wo book jiski sir baat kar rahe the wo mere paas hai ussi se

Guide:- aap sab mere peeche peeche aa jaiye jo do waterfalls peeche chhut gaye the unke
paas bhi kuch medi plants hain chaliyeun waterfalls ki taraf chalte hain aur sabhi apne
apne groups me intact hokar rahiye koi bhi apne group ko chhodkar kahi nahi jayega

Main:- abhi mulika roots of magic yoga churna magic powder asadhaka self affect of magic
nahi samjhe naa chaliye batata hun baat ye hai ki jab se hum Secrilla jungle ke andar
ghusse hain tabse 6 aankhen hamara picha kar rahi hain ye aankhen aur kisiki nahi teeno
devils Abbadon Lilitha aur Abraxas ki hain jinhe Digvijay ne students ko nuksaan
pahunchaane ke liye bola hai ye baat mujhe pehle hi pata chal gayi thi issliye maine Ronit
ko ye baat bata di thi arre wahi biriyani wala scene hamare do groups bante hi teeno
devils bhi ready ho gaye the humpe sudden alag alag attacks karne ke liye maine bhi Anjali
aur Ronit ke mind se judkar unko abhi apne apne spells bolne ke liye keh diya Abbadon
ne ek ped ke tane ko nukila kar diya tha hum jaise hi uss ped ke side se nikle Abbadon ne
apni ek ungli ko harkat di wo tana uss ped se ukhad kar tezi se piche ke group ki taraf
badha tabhi Anjali ne apna first spell bola mulika iss spell ke uccharit hote hi ussi ped ke
root tezi se bahar nikle aur uss tanne ko kheench kar wapas Abbadon ki taraf fek diye
Abbadon iske liye tayar nahi tha wo tanna tezi se usse takraya aur door jaakar gira dusri
taraf Lilitha apna spell bolne hi wali thi ki usse pehle Ronit ne apna spell bol diya yoga
churna iss spell ki khasiyat ye thi ki iss spell ke uchharit hone ke turant baad agar koi naya
spell bolne ki koshish kare toh uske mouh me magic powder fat jata hai jise saamne wale
ko apne hont jalne se lagne lagte hain yaha bhi wahi hua Lilitha apne honth ko pakde hue
machalne lagi wahi teesri taraf Abraxas ne apna spell bol diya pravata iss spell se ek tez
current nikalta hai jo jispe padta hai usse lagatar ek ke baad ek kai baar bijli ke jhatke lagte
hain par tabhi Anjali ne apna spell bol diya asadhaka iss spell se saamne wale ka spell ussi
ko lag jata hai yaha bhi wahi hua Abraxas ka spell mudkar ussi ko laga uski body ko zor ke
jhatke lagne lage

Main:- paapiyas maaya bandhana devil magic rope up jo mantra maine bola tha uss
mantra ko sirf ek angel hi bol sakta tha isse kisi bhi devil ko ek addrishya rassi me baandha
jaa sakta tha aur hua bhi kuch aisa hi mere mantra bolte hi teeno devil's apne khade hue
jagah par hi bandh gaye wo uss rassi se chhutne ke liye jitna zor lagate wo rassi aur utni
tez bandhne lagti jise unke sharir me dard badhne laga jab unhe ye baat samjh aayi ki
unke taakat lagane ka ulta asar ho raha hai wo besahaye hokar chup chaap khade ho gaye
dusri taraf hum apni masti me din bhar ghumte rahe jab hum ghum kar apne tents par
wapas aaye tab maine un teeno ko azaad kar diya raat ko waise toh hume khaana nahi
banana tha par fir bhi hum sab ne milkar khaana banaya aur bahar bonfire laga kar khaane
baith gaye samagra surakhsha complete protection khaana khaane ke baad hum yunhi
baithe hi the ki mujhe un teeno devils ka abhaas hua isliye maine apne aas paas ek
suraksha ghera bana diya

Wahi humse kuch doori par:

Lilitha:- main uss ladke ko chhodungi nahi uski itni himmat ki wo hume baandhe

Abbadon:- arre pehle ye socho ki usne hume angels ke rope se kaise baandh liya
Abraxas:- arre kisi angel ne usse wardan diya hoga ab toh isse maarkar uss angel ko jisne
isse ye sab sikhaya safaya kar denge

Abbadon:- bewakuf mat bano Digvijay ne kya kaha yaad hai ki bhool gaye isse maarne ke
liye devil lord ne mana kiya hai hume master ne jo kaam diya hai hum bas wahi kare ge
aur wo bhi aaj raat jaise hi ye Vikram soyega hum aadhe se zyada ladke ladkiyon ko ghayal
kar denge aur kuch ko maar denge halwa hai kya thoda khaayenge thoda baant denge
haan awaaz sun teeno palte aur apne saamne khaade shaksh ko dekh teeno ki aankhen
fati ki fati reh gayi kyu ki teeno ke saamne aur koi nahi main khada tha

Abraxas:- hamare saamne aakar

Main:- maine apni mout ko khud bula liya hai yahi naa saalo kuch naya bolo devil's ho wo
bhi Asmodeus ke top level ke devils kyu uska naam kharab kar rahe ho

Lilitha:- teri itni himmat ki

Main:- maine uska naam kaise liya yahi naa waise baat toh tune sahi kahi hai usne itne
bure bure kaam kiye hain ki wo toh apne naam se pukare jane ke bhi kabil nahi hai in sab
ke beech bas ek Abbadon hi tha jo chup chaap khada tha

Main:- tu sahi banda hai yaar aur tu kuch had tak sahi bhi hai tum teeno ki itni aukaad
nahi ki mere saamne khade bhi ho paao

Liltha:- bas bohat hua Lilitha ne apne haath aage kiye uske haathon se aag nikal meri ore
aane lagi par main chup chaap khada raha wo aag aakar mere kawach se takrakar nasht
ho gayi tabhi Abraxas ne apne haath upar kiye aasman se ek tez bijli nikli aur mere upar
padi par uska bhi yahi haal hua mere kawach se takrakar wo bijli bhi nasht ho gayi

Abbadon:- mind me bewakufon tum dono ko marna hai kya hum isse nahi maar sakte isne
apne saare powers chhupa rakhen hai tab bhi ye itna powerfull hai ki bina kuch kiye tum
dono ke har waar ko nasht kar de raha hai zara socho agar isne hum par apne spells ka
use kiya toh hamara kya hoga jitni jaldi ho sake niklo waha se Abraxas aur Liltha ko
Abbadon ki baat sahi lagi teeno turant kaale dhuen me bada ud gaye agar main chahta
toh unhe rok sakta tha aur ek pal ke liye maine ye socha bhi ki teeno ko rok lun par main
ruk gaya kyu ki jis taraf wo teeno dhua ban jaa rahe the maine wo jagah apne sapne me
dekhi hui thi main bhi ek white roshni me badal unke peeche ho liya main udta hua aage
badhe jaa raha tha maine un teeno ke mukabale apne udne ki gati kafi kam rakhi hui thi
fir bhi meri speed kafi tez thi main har jagah ko dhayan se dekhte hue jaa raha tha kuch
hi palon me maine aadhe se zyada Secrilla forest ko cross kar liya tha ki tabhi mujhe apne
left side se ek white urja mehsoos hui ye urja Guru Vishakht ki tarah hi thi main ussi taraf
ud gaya kuch hi palon me main ek waterfall ke upar tha uss waterfall ke peeche ek gufa
thi jiska mookh band tha maine dhayan lagakar uss gufa ke andar dekhne ki koshish ki par
main asafal raha jiska saaf matlab tha ki jis patthar se uss gufa ke mouh ko band kiya gaya
hai uss patthar me barrier shield laga hua hai main uss waterfall se guzarkar uss gufa ke
mookh ke saamne khada ho gaya mujhe laga ki mujhe iss patthar ko hatane ke liye kuch
spells bolne honge ki tabhi ek tez roshni ke beech do angels prakat hue wo dono hi mere
saamne jhuk gaye

Angel 1:- iss gufa ke peheredaar hum hain iska mookh humne hi band kiya tha

Angel 2:- hum aapki hi pratiskhsha kar rahe the dono ne milkar uss gufa ke saamne pade
patthar ko hata diya

Angel 1:- humne apna daayitva pura kiya hume jane ki aagya de hume mukt kare Lord of
Angels

Main:- aap jaa sakte hain dono angels mere saamne ek aur baar jhuk kar ghayab ho gaye
jaise hi maine apne kadam uss gufa ke andar rakhe uss gufa me tez roshni faile gayi mere
saamne ek chota sa mitti ka pahad sa bana hua tha maine apni divya drishti kholi aur tabhi
uss mitti ke chote se pahad ke beech me se ek roshni nikli aur mere maathe ke centre par
padi meri aankhen band ho gayin mujhe uss mitti ki chaadar me lipte hue insaan ka chehra
dikhne laga itna hi nahi mujhe unke bare me sab kuch pata chalne laga maala Baba
Vishakht ka shadyantra maala ki hatyaus bebas baap ka dil cheer dene wala rona unke
dwara Baba Vishakht ko diye jane wala shraap uss bebas baap ka madhoshi ki haalat me
yaha aanamere pitah God se apni mout ka guhaar lagana aur God ka unse mere bare me
baat karna achanak mere band aankhon ke aage mera wo sapna aa gaya jisme ek ladki
mere aage aage ghum rahi hai jise maine sirf peeche se dekha hai mere kaanon me aaj
bhi jiski payal ki khanak gunjati hai aaj bhi mere aankhon ke aage yahi drishya chal raha
tha main usse peeche se ek tak dekh hi raha tha mere dil se ek awaaz aayi aakhir kaun ho
tum? maano uss ladki ne mere dil ke kahe sawal ko sun liyo ho aaj pehli baar maine uski
awaaz suni

Ladki:- jo tum jaagte hue bhi dekh sako wo khwaab hun main jise bas dekh kar hi chadh
jaye aisi sharab hun main aaj pehli baar tumne kuch pucha hai mujhse tumhare har raaste
ki manzil tumhare har sawal ka jawaab hun main aur wo palti

Main:- Avantika
Planet: Earth Place: Drafting point

Students aaj humara Secrilla forest me 2nd day hai jis tarah group me rehkar aapne kal ka
pura din guzara hai main ummid karta hun ki agle 6 din bhi aap issi tarah discipline me
rahenge hamare guide ne hume kal hi bata diya tha ki aaj ka hamara aage ka safar morning
8 baje se shuru hoga hum sab subah sharp 8 baje tak ready hokar humare aage ke safar
ke liye nikal gaye the aaj hum sab paidal hi aage badh rahe the kyu ki kacche raaste se
bani pagdandiyon ki seema ab khatam ho chuki thi hum sab ne apne aage ke safar me use
hone wale saare saaman ko saath le liya tha sahi maayne me humara jungle safari aaj se
hi shuru hua tha kareeb ek ghanta chalne ke baad hum sab ek waterfall se thoda aage
jaakar ruke jahan hum ruke the waha ek board laga hua tha jispar drafting point likha hua
tha abhi hum jis jagah par khade the wo abhi tak ke hamare dekhe hue jungle ke mukabale
bohat kam ghana tha uss board ke side me kuch khuli jagah thi jo sidhi naa hokar neeche
ki taraf gayi hui thi

Guide:- board dekhkar aap sab samjh hi gaye honge ki abhi hum Drafting point par hain
ye jo aap aage dhalan dekh rahe hain hume usme se hi utarkar neeche ki taraf jana hai
lekin dhayan se dhalan ki mitti me paani ki chiknayi hai toh pair dheere dheere rakh kar
aage badhna hum sab aage badh gaye main aur mere frndz aaj sabse peeche chal rahe
the main aur Ronit aage the aur girls hamare peeche peeche baat karte hue aa rahe the

Ronit:- kuch hua kya? Ronit ne mujhse dheere se pucha

Main:- hmm main jis maksad se yaha aaya tha wo kal raat pura ho gaya maine Ronit aur
Anjali ko apen sapne ke bare me sab kuch bata diya tha meri baat sun Ronit chonka

Ronit:- aur saale ye tu mujhe ab bata raha hai

Main:- mouka hi kaha mila kal raat ko apna kaam khatam kar jab main louta toh tu so gaya
tha aur aaj toh hum itni jaldi nikle ki kuch bolne ka mouka hi nahi mila

Ronit:- toh ab toh time hi time hai abhi bata de na bhai aaaa arre sambhal ke hahhh

Main:- yaar baatein baad me bhi ho jayengi zara dekh kar chalo guide ne kaha hai na ki
mitti me chiknayi hai darasal hua ye ki jaise hi hum dhalaan me pahunche Avantika ka pair
fisal gaya wo neeche girti usse pehle hi maine usse pakad liya tha maine Avantika ko sidha
khada kiya aur Ronit ke saath aage badh gaya par ab tak Avantika jo Shanaya aur Anjali se
baat karte hue aage badh rahi thi wo chup si ho gayi thi uske chehre par ek halki si
muskurahat thi par saath hi wo kuch soch bhi rahi thi darasal baat ye thi ki jab maine
Avantika ko thaama toh bas ek pal ke liye main uske chehre me kho sa gaya tha par saath
hi mere aankhon me ek dard bhi tha aur in dono baaton ko Avantika ne note kar liya tha

Guide:- so guys this iss our first stoppage iss waqt hum ek patle aur tez bahaav wale nadi
ke chhor par khade the hamare saamne bohat si inflatable rafts rakhi hui thi

Guide:- aap sab 5-5 ki group bana lijiye aur jinho ne ye pehle bhi kiya hai wo rafting gears
pehen len aur jinka ye first time hai yaha hamare paas instructors hain wo aapko rafting
gears ke use sikha denge luckily humara 5 ka hi group tha toh hum toh ek raft me set ho
gaye

Shanaya:- yaar ye toh mera first time hai mujhe toh iske bare me koi bhi idea nahi hai

Avantika:- toh mujhe kaun sa hai? but luckily hamare paas teen personal insrtructors hain

Shanaya:- matlab

Avantika:- arre tune Vj ke room ke walls thek se nahi dekhe the kya unme tange photos
me se kuch photos me ye teeno river rafting karte hue bhi dikh rahe hain toh hue na ye
hamare personal instuctors hum teeno Avantika ki baat sun kar muskura diye

Shanaya:- haan yaar how did I forget that chalo fir hume rafting gears pehnao aur batao
ki rafting me kin kin baaton par dhayan dena chahiye Anjali aur Ronit ne dono ko rafting
gears pehnaye aur maine dono ko rafting ke bare me imp tips diye

Guide:- so guys ready for the thrill hum sab ne ek saath yesss kaha ek bande ne hamare
raft ko pakda hua tha hum charo ek raft me baith gaye humare settle hote hi usne raft ko
chhod diya raft skid karti hui paani ko kaatte hue aage badhne lagi raft ki speed bohat
zyada thi uske upar ye Avantika aur Shanaya ka first rafting experience tha dono ki cheekh
nikal gayi ki tabhi Avantika achanak chup ho gayi hua ye ki maine Avantika ki aankhon par
bohat zyada dar dekha issliye maine peeche se uski kamar par apna haath rakh diya
Avantika ko jaise hi apni kamar par haath mehsoos hua wo meri taraf palti main usse hi
dekh raha tha pura raft paani ke thapedon ki wajah se tezi se hil raha tha par Avantika ko
mere haath kisi sakht diwal se lag rahe the jispe tik kar wo bade se bade jhatkon ko bhi
aaram se jhel sakti thi

Main:- (mann main) mere rehte tumhe kuch nahi ho sakta Avni aur jaise mere dil ki awaaz
uske dil tak pahunch gayi ho Avantika halke se muskura di

oh shit are u alright ye awaaz hamare peeche aa rahi raft se aayi thi paani ki awaaz bohat
zyada thi par mujhe awaaz saaf sunayi di ek ladki uss raft se gir gayi thi waise khatre ki koi
baat toh thi nahi sabhi ne life jackets pehne hue the par gabrahat ki wajah se wo chilla
rahi thi ek bande ne rope fekka jise usne pakad liya usse raft me khinch liya gaya ye rafting
kuch 10 minute tak chali fir hum ek chhor par utar gaye hum sab kafi bheeg gaye the
humne change kiya aur aage ki taraf chal diye

Wahi dusri taraf: Place: Digvijay's farmhouse:

tumhe pata bhi hai ki tum kya keh rahe ho? aisa kaise ho sakta hai? subah ka waqt hai iss
waqt Abbadon Lilitha aur Abraxas Digvijay ke saamne khade hain unhone kal raat ko jo
kuch bhi hua wo Digvijay ko bata diya hai

Abbadon:- yahi sach hai master hum bhala aapse jhuth kyu bolenge

Digvijay:- dikhao mujhe Digvijay ne apne haath aage kar diye teeno devils ne apne apne
haath Digvijay ke haath ke upar ek ke baad ek rakh diye Digvijay ne apna dusra haath un
teeno ke haath ke upar rakha aur aankhen band kar li drishti jaagnam see the visions
Digvijay ke mantra uccharit karte hi un teeno ke haathon se Digvijay ke haathon me hote
hue ek ray sidhe Digvijay ke maathe par gayi kal jo kuch bhi huawo sab kuch Digvijay ko
dikhne laga (siwaaye Ronit aur Anjali ke spell bolne ko chhod kar) sab dekhne ke baad
Digvijay ne jhat se apni aankhen khol di

Digvijay:- angel's rope Vikram ke paas kaise? wo bhi itna shaktishaali ki ek saath tum teeno
ko baandh de maine jitna socha tha ye Vikram naam ki guthi toh usse bhi zyada uljhi hui
hai ab kya karun?

kuch bhi nahi awaaz sun charon chonk gaye par turant hi charon apne ghutno par aa gaye
kyu ki ye awaaz Asmodeus ki thi

Asmodeus:- Digvijay maine tumhe kaha tha ki tum Vikram ko haani pahunchane ke bare
me sochoge bhi nahi tumne jo rasta pehle se socha hua hai tum ussi par chaloge par
tumhe meri baat samjh nahi aayi kyu?

Digvijay:- darte hue maha mahim maine Vikram par humla nahi karwaya tha maine toh
uske saathi yon

Asmodeus:- chuppp apni hadein mat bhulo Digvijay tum hume bataoge ki tumne kya
socha tha aur kya nahi ye hamari tumhe aakhri chetawani hai Vikram ke aas paas tum kisi
bhi tarah ka jaal nahi bichaoge warna Vikram se pehle hum hi tumhara nash kar denge
Digvijay:- ji maha mahim main aisa kuch bhi nahi karunga aur iske baad Asmodeus ki
awaaz aana band ho gayi Digvijay ne saamne dekha jahan teeno devils ab bhi thar thar
kaamp rahe the

Digvijay:- tum sab jaa sakte ho teeno ne kaampte kaampte sar jhukayea aur gayab ho gaye

Back to hero:

Place: Secrilla

abbe kitne jaldi khaata hai tu hum sab rafting karne ke baad wapas uss paani ke shroth
matlab waterfall ke paas gaye jahan guide ne hume waha moujud kuch plants ke bare me
bataya aur kisika toh pata nahi par Avantika un plants ke bare me jaankar bohat khush ho
gayi thi hoti bhi kyu naa thi toh wo Aarti hi naa jise poudho aur pedo se banane wale lepon
aur medicines ke bare me janene ka bohat shouk tha khair plants ko checkout karte karte
dopehar hone lagi thi hum sab ne wahi khaana banane tay kiya khaana banakar hum sab
wahi jagah dekhkar baith gaye aur lunch karne lage ab ye meri shuru se aadat thi ki main
khaana bohat jaldi hi khaa leta hun toh abhi bhi waisa hi hua

Main:- ab khata hun toh khata hun bhai tum log apna lunch finish karo main haath dho
kar aata hun hum sab uss dhalan wali jagah ke paas hi baithe the main wahi neeche ki
taraf chala gaya jahan nadi tha maine apne haath dhoye mujhe pata tha ki sabko abhi kafi
waqt lagega lunch complete karne me wahi paas me hi ek chayadaar ped tha main ussi ke
niche jaakar baith gaya maine apni aakhen band kar li mere ankhon ke aage kal raat ka
drishya ek baar firse ghum gaya

Flashback of yesterday's night

Avantika ke palatat he hi meri aankhen khul gayi mujhe sab samjh aane laga maine ek
baar fir se aankhen band ki iss baar main Avantika ke mann main jhaank paa raha tha jo
shield uske andar thi jo mujhe uske dil ki baat sunne se rok rahi thi ab wo hat chuki thi
maano wo bhi aaj ki hi pratiksha kar rahi thi maine apne haath aage kar diye mere haathon
se ek white roshni nikli aur uss mitti ke pahad par lagi wo mitti gayab ho gayi ab mere
saamne Aarti ke pita Guruon ke Guru Guru Vishisht dhayan ki awastha me baithe hue the
najane kitni sadiyan beet gayi par unke chehre ki chamak aaj bhi pehli si hi thi main chalte
hue unke paas gaya aur maine unke pair chu liye mere unke pair chhute hi unka sharir
chamakne laga itne sadiyon se ek hi jagah baithe hone ki wajah se Guru Vishisht ka sharir
kafi ganda ho gaya tha mere unhe chhute hi unka pura sharir saaf ho gaya
Main:- Guruvar aakhen kholi aapki tapasya purn hui mere aisa bolte hi Guru Vishisht ne
aankhen khol di apne saamne mujhe dekh wo samjh gaye ki main kaun hun wo jhat se
uthe aur jaise hi unhone jhukakar mere pair chune ki koshish ki maine unhe unke kandhon
se pakad kar aisa karne se rok diya

Main:- insaan ka ohda nahi uske karm bade hone chahiye jaise ki aapke hain ye bol maine
unke pair chu liye

Guru Vishisht:- aisa karke mujhe paap ka bhaagidaar mat banaiye

Main:- aap paapi ho hi nahi sakte Guruvar aapne itne varsh ek gufa me rehkar apne
dhairya ka jo udaharan diya hai wo atulniya hai main aapko apne hriday se naman karta
hun

Guru Vishisht:- aaj meri pratikhsha samapt hui ab main ek baar apni putri se mil iss sansar
ko alvida keh sakta hun

Main:- awashya par meri aapse ek nivedan hai

Guru Vishisht:- aap nivedan nahi aadesh dijiye Lord of Angels

Main:- aap apni putri se mil lijiye God ke bhavishya Vaani ke anusar aap usse uski vidhya
bhi lauta dijiye kintu aap usse mere bare me kuch bhi nahi batayenge meri baat sun Guru
Vishisht chonk gaye

Guru Vishisht:- par kyu? kya aapko meri putri pasand nahi

Main:- baat pasand na pasand ki nahi hai Guruvar baat hai niyati ko kisi ke upar thopne ki
do logon ko ek saath sirf unke beech ke prem ki wajah se hona chahiye aur kisi bhi wajah
se nahi

Guru Vishisht:- kintu koi bhi apni niyati se bhaag nahi sakta jo niyati me likha hai wo hokar
hi rehta hai

Main:- hamare niyati hamare karm nirdharit karte hai Guru dev agar aisa nahi hai toh
mere pita (God) ka pehla beta devil kaise ban gaya koi bhi pita apne bete ki niyati me aisa
shraap toh nahi likh sakta naa aaj ussi bete ki wajah se mere pitah abhi tak mere saamne
nahi aaye God hone ke baawajud unhe iss baat ka dar hai ki kahi unke pyaar ki wajah se
main bhi Asmodeus ki tarah na ban jaaun ye kaisi niyati hai ki ek bete ki galti ka bojh dusra
beta utha raha hai? nahi Guruvar main nahi chahta ki niyati Avantika aur meri kahani likhe
haan par main aapse ye waada karta hun ki agar Avantika ke mann main mere liye
bhaavnaaye jagi toh usse mujhse koi bhi alag nahi kar payega

Guru Vishisht:- meri putri aapki hi amanat hai Lord of Angel aur hamesha aapki hi rahegi
ab mere liye kya aagya hai maine apna ek haath upar kiya gufa ki chatt hat gayi aasman
me ek darwaaza sa ban gaya aur uss darwaaze me se ek aatma nikal kar mere saamne
aakar khadi ho gayi uss aatma ko dekhkar Guru Vishisht chonk gaye kyu ki wo aatma aur
kisi ki nahi Baba Vishakht ki thi Baba Vishakht kuch nahi bol rahe the bas apne dono
haathon ko jodkar apne sar ko neeche kar khade hue the

Guru Vishisht:- hona toh mujhe aapse rusht hi chahiye par aapki jaal saazi ki wajah se meri
putri ko punarjeevan mila wo bhi Lord of Angel ke shakti ke roop main issliye main aapko
maaf karta hun Guru Vishisht ke aisa bolte hi Baba Vishakht ke chehre par ek santosh aa
gaya wo mujhe naman kar wapas uss darwaaze se hote hue heaven me chale gaye maine
bhi Guru Vishisht se vida liya aur wapas roshni me badal kar gayab ho gaya

End of flashback:

Ronit:- lo kar lo baat ye bhai sahab toh baithe baithe hi so gaye hain Ronit ki awaaz sun
maine apni aakhen khol di

Main:- 3 minute hue hain tujhe yaha aaye haath dhokar tu ne as usual apne haath apne
tshirt se poche aur apne bewakufon wale shakal ko aur tedha medha karke tune apni 3
selfies lin aur

Ronit:- bas kar mere baap main bhi kisse ulajh gaya? sidhe sidhe nahi bol sakta tha ki jaag
raha hun

Anjali:- chalo guide sir bula rahe hain

Main:- chalo fir Avantika aur Shanaya nadi me haath dho rahe the humne unko saath liya
aur upar chal pade fir din bhar kuch khaas nahi hua guide sir hume jungle ke kuch hisso
me ghuma ghuma kar waha ke bare me ancient aur geographical baatein batate rahe
shaam hote hote humne ek achi jagah dekhkar tents laga diye

At Night:

Jungle me raat jaldi ho jati hai humne kareeb 8 baje tak dinner kar liya tha dinner karke
hum sab bonfire ke aas paas circle bana kar baith gaye

Anjali:- kyu naa aaj bhi uss din ki tarah kuch game khela jaye
Shaifali:- nahi yaar aaj kuch alag karte hain Vikram maine suna hai ki tum har tarike ke
instruments baja lete ho toh kyu naa aaj Vikram hum sab ke liye guitar play kare what u
say guyzz? sab mere naam ki hooting karne lage

Main:- arre nahi yaar mera mood nahi hai

Anjali:- baja de naa be bhaav kyu kha raha hai?

Main:- abbe abhi abhi toh khaana khaya hai aur kuch khaane ke liye pet me jagah kaha
bachi hai bas abhi mood nahi ho raha sab mujhe convince karne me lag gaye ki tabhi
mujhe apne kaano me ek awaaz aayi ye awaaz Avantika ki thi

Avantika:- bas ek baar plzzz maine Avantika ki taraf dekha jo mujhe hi dekh rahi thi

Main:- ek shart par

Sab:- kya?

Main:- Avantika ko koi gaana gaana hoga main ussi gaane pe guitar bajaunga Avantika
meri baat sun kar nervous ho gayi

Shaifali:- bas itni si baat Avantika chalo ek pyaara sa gana suna do

Avantika:- nahi nahi mujhe gana waana nahi aata

Main:- toh fir mujhe bhi guitar bajana nahi aata

Anjali:- gaa dena yaar kyu bhav kha rahi hai?

Avantika:- bhaav ki baat nahi hai yaar Shanaya tu toh janti hai naa

Shanaya:- actually guyz Avni ko notes yaad nahi rehte infact usse toh apne fav song ke bol
bhi sirf aadhe adhure hi yaad hain

Ronit:- toh yaha kaun sa competition chal raha hai ki tujhe pura gaana aana chahiye aur
waise bhi Vj ko lagbhag saare gaano ki compositions yaad rehti hain jahan bhi tum atkogi
Vj sambhaal lega

Main:- right aur ab toh Avantika ko apna fav song hi gaana hoga come on guys lets cheer
it for Avantika sabhi Avantika ke naam ki hooting karne lage

Avantika:- ok ok gaati hun Avantika ne mujhe ghurte hue kaha jaise keh rahi ho ki apne
saath saath mujhe bhi fasa liya

Anjali:- waise tumhara fav song kaun sa hai?


Avantika:- lag jaa gale

Anjali:- no way ye toh Vj ka bhi fav song hai ab toh maza aayega Avantika ne meri aankhon
me dekhkar gaana shuru kiya Avantika ke gaana shuru karte hi maine bhi guitar play karna
shuru kar diya Avantika ne meri aankhon me jhaankte hue aage ki lines gaayin aur phir
thodi der baad

Avantika:- oh shit main aage ki line bhul gayi main Avantika ki aankhon me dekhte hue
aage ki line bol di Avantika aur main ek dusre ki aankhon me doob chuke the aur ussi
madhoshi me hum dono ne song ko complete kiya hamara gaana khatam hote hi sab ne
zor shor se taali bajana aur hootong karna shuru kar diya par hum dono hi iss taarife
maahoul se door ek dusre ki aankhon me ab bhi khoye hue the hum dono ke lab khaamosh
the par dil baatein kar rahe the

Planet: World of the Warrior: Place: Planet's edge:

moksayati kawacham bhava undo the shield toh tum azaad ho gaye awaaz sun Defender
palta aur saamne wale ko dekh ek pal ke liye hadbada gaya Defender ke saamne
Asmodeus khada tha bhale hi Defender bhi kai aloukik shaktiyon ka maalik tha par itne
waqt me wo Asmodeus aur uski aseem taakat ke kayi namune dekh chuka tha aur khud
unka ek chota sa hissa bhi reh chuka tha par Defender ne apne andar ke bhavnao ko
niyantrit kar kaha

Defender:- haan aur ab tum mera kuch nahi bigad sakte

Asmodeus:- sach me Asmodeus ke iss chote se sawal me kahi na kahi ek vyangaaur khud
par bharose se bhara hua jawab bhi chupa hua tha

Defender:- haan sach me aur tumhari nazar toh har jagah rehti hai naa toh tumhe maalum
hi hoga ki main ye kyu keh raha hun

Asmodeus:- aatm vishwas achi chiz hai Defender par aati aatmvishwas nahi paapiyas
achedhya kawach devil's unbreakable shied yahi kawach tumne odhe hue hai naa
Defender Asmodeus ki baat sun kar chonk gaya kyu ki kawach ka pata spell bolne ke baad
hi maalum padta hai par Asmodeus ne bina kuch kare hi kawach ke bare me bata diya tha

Defender:- iss baad me koi sandeh nahi ki tumhare shaktiyon ka koi tod nahi kaash tum
apni yogyata burai nahi balki achai ke maarg par dikhate ek baat hamesha yaad rakhna
burai kitni bhi shakti shaali kyu na ho jaye usse ek din achai ke saamne jhukna hi padta
hai dekhna ek din tum apne hi nafrat ki aag me jal jaaoge
Asmodeus:- nafrat se sacha aur paak ehsaas kuch nahi hota Defender nafrat me chaahat
jaisi milawat nahi hoti nafrat ka kabhi mann nahi badalta mohobbat chahat apnapan ye
jitne bhi ache shabd hai naa ek na ek din inke maarg par chalne wale ko thokar awashya
lagti hai achai ke marg par chalne walon ka sabse zyada uccharit karne wala shabd hota
hai vishwas ek baad humesha yaad rakhna vishwas me hi vish ka waas hota hai tum burai
ki baat karte ho burai se zyada paakh aur acha kuch bhi nahi par tum ye nahi samjhoge
achai naamak jhuthe ehsaas se jo ghire hue ho Defender ke paas Asmodeus ki baaton ka
koi tark nahi tha kyu ki wo janta tha ki Asmodeus ne kuch bhi galat nahi kaha tha

Asmodeus:- khair tum ek baat aur bhool rahe ho jis kawach ne tumhe surakhshit kiya hua
hai usse tum devils se toh bach sakte ho par Asmodeus se nahi kyu ki Asmodeus kaali
shaktiyon ka gulaam nahi unka maalik hai par saath hi bhale hi ab main ek angel nahi raha
par angel ki shaktiyan aaj bhi mere andar moujud hain tumhara kawach tumhe black
energy se toh bacha lega par white energies se kaise bachayega Defender Asmodeus ki
baat sun kar ghabra gaya wo ye baat bhool gaya tha ki Asmodeus ke paas demonic powers
ke saath saath angel powers bhi moujud hain aur ab wo kuch kar bhi nahi sakta tha
Defender ne God ko smaran kiya aur apne saath hone wale durgati ke liye khudko tayar
karne laga sampurna vinasham complete destruction Asmodeus ke haathon se laal roshni
nikli aur Defender ki taraf tezi se badh gayi Defender ko apni antim ghadi uss laal roshni
ke roop me apni taraf aate hue dikhne lagi boommm laal roshni ke Defender se takrate hi
ek karn bhedi dhamaka hua aur jab dhua chata toh Asmodeus ke chehre par ghor ascharya
ke bhaav the ascharya ke bhaav sirf Asmodeus ke chehre par hi nahi the Defender ke
chehre par bhi the Defender toh apne sharir ko chu chu kar dekh raha tha maano check
kar raha ho ki kya wo wakayi ab bhi zinda hai (maine tumse waada kiya tha ki main tumhe
kuch nahi hone dunga fir ye sandeh kyu?) ye awaaz Defender ke dimag me gunji thi

Defender:- (mann main) mujhe maaf kijiye ga Asmodeus ki baatein sunkar main aapke
diye gaye vachan ko bhul gaya tha wahi Defender ke saamne khada Asmodeus ab tak soch
me pada hua tha Asmodeus ne apne haath Defender ki taraf gol ghuma diye Asmodeus
ko Defender ke charon taraf faili devil's unbreakable shield dikhne lagi Asmodeus ne
sheild ko apne taraf aane ka ishara kiya shield ke andar se uske jaisi ek aur shield nikli aur
Asmodeus ke dimag me ghus gayi aisa laga maano Asmodeus ke ishare par shield ne khud
ki ek copy bahar nikaal Asmodeus ko de di ho vighrnati analyse Asmodeus ke dimag me
wo kawach vibrate hone lagi maano khud ko jhatak rahi ho aur tabhi asambhavvv
Asmodeus ke mouh se ye shabd apne aap hi nikal gaya darasal baat ye thi ki shield ke
vibrate hote hi uss shield ke beech me ek aur shield dikhne lagi aur iss shield ka naam tha
swarga duta acchedya kawach Angel's unbreakable shield aur ye koi aisi waisi shield nahi
thi iska prayog sirf Asmodeus hi karta tha

Asmodeus:- (mann main) ye kawach koi aur kaise istemaal kar sakta hai (ye sab spear ka
kamaal hai doston jab spear Asmodeus ki milkiyat thi toh Asmodeus ko bina pata lagne
diye iss shield ki ek copy usne apne andar sokh li thi )

Defender:- apni burai ki taakat aur aazmana chahoge Asmodeus?

Asmodeus:- shanik maatra ke jeet se khush ho rahe ho Defender tum bhale hi aaj zinda
bach gaye ho par tumhare logon ke andar mere bacchon ne (devil's) jo najane kitne varsho
tak kaiwa ka ras bhara hai wo abhi sirf issliye be asar hai kyu ki tumhare logon ke andar
kaali shaktiyan moujud hain jiski madad se tumne apne charo taraf shield bana rakhi hai
wo bhi iss maamle me tumhari koi madad nahi kar sakta tum apne grah ke charo taraf
faile shield ko toh hata sakte ho par tumhare logon ke andar bhare kaiwa ras ko nahi tum
kya tumhare Lord of Angels ke paas bhi koi tod nahi hai mere kaiwa ka hahaha Asmodeus
vijetaon ki hasi hasta hua gayab ho gaya wahi Defender Asmodeus ki baat sunkar nirash
ho gaya par wo kar bhi kya sakta tha usne ek lambi saans chhodi aur planet shield ko
hatane me lag gaya

Planet: Earth Place: Secrilla - Day: 3

Students ye hai aaj ka hamara first halt ya yun kahu first adventure the Rock Mountain
aaj ki hamare Secrilla exploration ki shurat bhi morning 8 baje se ho gayi thi kuch ek
ghante hum jungle ke andar chalte rahe raaste me guide sir hume alag alag ped ke bare
me bataate rahe do din ke jungle exploration me humne abhi tak koi khatarnaak jaanwar
nahi dekhe the jiska kaaran tha electrical wall boundries jo Vakazula government ne
Secrilla jungle ke restricted areas ki shuruati jaghon par lagai hui thi ek ghante tak lagatar
tehelne ke baad hum sab jaisa ki guide sir ne kaha Rock mountain ke saamne khade the

Guide:- jaisa ki aap sab dekh rahe hain iss hare bhare jungle ke beech ye patharon ka
pahad par jaisa dikh raha hai waisa hai nahi iss mountain ki unchayi 200 feet hai jaisa ki
har rock mountain me hota hai iss mountain me bhi daraare hain jinki madad se aap aaj
yaha mountain climbing kare ge par ye daraare kuch khaas hain khaas kar mountain ke
upar ki daraaren koi bata sakta hai ki un daraoron me kya hai? Avantika ne apne haath
upar kiye

Guide:- bataiye

Avantika:- daraaron ke beech chote chote poudhe hain


Guide:- kya aap bata sakti hain ki un poudon me aisa kya khaas hai?

Avantika:- un poudho ko garam paani me dubo kar fir lep banaya jata hai uSs lep ko chote
chote golon ka shape dekar 24 ghanton ke liye sukhaya jata hai un golon se blood cancer
se affected mariz ko thek kiya jaa sakta hai

Guide:- bohat acche I must say aapko jadibuti vigyan ka kafi knowledge hai idhar main
Avantika ka jawab sun muskura diya

Guide:- so jo bhi students interested hain mere paas aake climbing gears le sakte hain but
ek baad yaad rakhiye mountain climbing koi mazak nahi hai isme jaan jane ka bhi khatra
rehta hai issliye jinhe mountain climbing karne ka experience hai wahi aage aayen humare
group se main Anjali aur Ronit aage aaye

Shanaya:- tum logon ko mountain climbing bhi aati hai Anjali tujhe bhi

Anjali:- haan toh isme kaun si badi baat hai Akshaant Shaila aur Mokalsar ke training me
Ronit aur Anjali ne sidhi si wall par kaise chadna hai ye sikha tha toh fir ye mountain
climbing kya cheez hai

Avantika:- araam se Vj pahad kafi bada hai Avantika mere paas aakar dheere se boli

Main:- nahi aaj toh main khud ko chot lagwa kar hi loutunga

Avantika:- kyu bhala? Avantika ne turant pucha

Main:- yaar sahi salamat wapas aakar bhi toh tumhara udas chehra hi dekhna hai isse
acha haath pair tudwa kar loutun isse hoga ye ki tumhara dhayan apni udasi se hatkar
meri taraf chala jayega

Avantika:- tumhe kaise pata ki main udas hun darasal Avantika aaj subah se hi udas hai
par sabko dikhane ke liye upar se apne aap ko khush dikha rahi hai main Avantika ke aur
kareeb jaakar jo ankhon ki bhasha samjhte hain unhe sach jaanne ke liye zubaan ke khulne
ki zaroorat nahi hoti main ye bolkar haste hue uss mountain ke neeche chala gaya

Avantika:- (mann main) aakhir kaun ho tum? mere bin bole mere dil ki baat samjh lete ho
jab bhi mere kareeb hote ho toh lagta hai jaise waqt wahi ruk jaye oh shit maine toh Vj ko
bolna hi bhul gayi ki un daraaron ke beech ke kuch poudhe mere liye tod kar laaye idhar
hum teeno ne mountain climbing karna start bhi kar diya tha hum teeno ke alawa kuch
34 bande aur the jo climbing karne ke liye aage aaye the hum teeno normal insaano ki
speed se hi upar chadhte gaye waise iss mountain me chadhne zyada mushkil nahi tha
daraaren kafi zyada thi jinme kil thokna aur clips lagana kafi asaan tha hum sab kuch aadhe
ghante me upar the utarna toh aur bhi aasan rehta hai aise climbings me hum fatafat utar
gaye

Main:- lo maine Avantika ke paas jaakar apne haath aage kar diye mere haathon me kuch
poudhe the jo maine un dararon se tode the Avantika mere haath me puodhon ko
dekhkar bohat khush aur saath hi surprised bhi ho gayi

Avantika:- tumhe kaise pata tha ki mujhe ye chahiye

Main:- jane se pehle maine tumhe kuch kaha tha bhul gayi ye bolkar main muskurate hue
aage badh gaya

Shanaya:- arre ye poudhe kaise? Avantika mujhe peeche se ektak dekh kuch soch hi rahi
thi Shanaya ki awaaz se apni soch se bahar aayi

Avantika:- wo maine Vj se kaha tha ki mere liye un daraaron se kuch tod kar laaye ye wahi
pouden hain

Shanaya:- oh yaar main kya kehti hun ek baar hum naa apni puri family ke saath yaha
aayenge unhe bhi ye jungle kafi acha lagega khaas kar bade papa ko unhe toh aise
adventurous trips kafi pasand hain Avantika papa shabd sun fir se udas ho gayi par usne
turant khud ko normal kar liya

Avantika:- sure babes par abhi jaldi chal dekh sab aage nikal gaye hain Shanaya aur
Avantika aage ki taraf chal diye Avantika chal toh rahi thi par saath saath kuch sochkar
firse udas ho gayi thi ab aisi kya baat hai jiski wajah se hamari heroine subah se udas hai
chaliye dekhte hain

Flashback from last night:

putriii Avantika ki aankhen khul gayin wo yaha waha dekhne lagi aadhi raat guzar chuki
thi iss waqt raat ke kareeb do baj rahe the

Avantika:- main bhi naa sapne me aayi awaaz ko haqiqat me dhund rahi hun par ye awaaz
toh maine pehle bhi apne sapne me suni haipar aaj ye awaaz kuch zyada hi clear thi par
Avantika ne iske bare me zyada nahi socha kyu ki kal usse subah jaldi bhi uthna tha issliye
usne apne dimag ko jhatka aur jaise hi wapas letne ko hui

Awaaz:- ye koi sapna nahi hai putri tum sach me meri awaaz sun rahi ho Avantika dar ke
maare kaampne lagi usne jise sapna socha tha wo haqiqat bankar uske saamne tha
Avantika ne thar tharathi awaaz me Shanaya ko awaaz di jo uske paas hi soyi thi par
Shanaya pe iska asar nahi hua wo kafi gehri neend me thi tabhi wo awaaz ek baari aur
Avantika ke kaano me padi

Awaaz:- ghabrao mat putri main tumhe koi haani nahi pahunchaunga par uss awaaz ki
baat ka Avantika par ulta asar pada wo aur zyada dar ke mare kaampne lagi

Awaaz:- thek hai putri agar tumhe meri awaaz se itna hi dar lag raha hai toh ab main nahi
bolunga jab bhi tumhara dar khatam ho tum mujhe awaaz de dena ab main tabhi bolunga
iske baad awaaz aana puri tarike se band ho gayi Avantika kuch der tak darti hi rahi par
kuch 10 minute guzar jane ke baad bhi jab koi awaaz nahi aayi toh dheere dheere Avantika
ka dimag kaam karne laga usse ye baat samjh me aa gayi ki ye awaaz jiski bhi thi wo usse
nuksaan nahi pahunchayega

Avantika:- aapp kaun hain?

Awaaz:- pehle tum darna band karo putri tumhari awaaz abhi bhi kaamp rahi hai ab
Avantika ka dar kafi had tak kam ho chuka tha aur uss awaaz me apne liye putri shabd me
jo pyar chhupa hua tha usse Avantika ne mehsoos kar liya tha

Avantika:- aap kaun hain? kya ye koi prank hai aapki sirf awaaz sunayi de rahi hai par aap
dikhayi nahi de rahe hain kahi aap koi bhoot Avantika ki baat puri hone se pehle hi awaaz
hasne lagi

Awaaz:- nahi putri naahi tumhare saath koi mazak kar raha hai aur main koi bhoot bhi
nahi hun

Avantika:- fir aap dikhayi kyu nahi de rahe

Awaaz:- wo toh main tumhare saamne aane par hi bataunga par tum waada karo ki mere
saamne aane par darogi nahi

Avantika:- thek hai promise tabhi Avantika ke tent me ek roshni hui aur uss roshni ke
beech se Guru Vishisht prakat hue Avantika ke liye toh ye sab kisi movie ke special affects
seen ke jaisa tha wo aankhen faade ye sab dekh rahi thi

Guru Vishisht:- tumne waada kiya tha putri ki tum darogi nahi Guru Vishisht ke awaaz se
Avantika hosh me aaya

Avantika:- aap kaun hai aur ye aapne kaise kiya?


Guru Vishisht:- ye janane me bohat waqt lagega aur mere paas adhik samay nahi hai abhi
ke liye tum itna jaan lo ki main tumhara pita hun Guru Vishisht ki baat sun Avantika ko
jhatka laga

Avantika:- ye aap kya bol rahe hain? aapko koi galat fehmi hui hai main aapki beti nahi
hun Avantika ki baat sun Guru Vishisht muskuraye unhone apne haath aage kar diye unke
haathi n se ek roshni nikli aur Shanaya me sama gayi

Avantika:- ye aapne meri behan ke saath kya kiya?

Guru Vishisht:- kuch bhi nahi putri maine toh bas uski needra ko aur gehri kar di tum mere
paas aao par Avantika apni jagah par baithi rahi

Guru Vishisht:- ghabrao mat putri maine kahanaa main tumhe koi haani nahi
pahunchaunga mere paas aao Avantika hich kichate hue Guru Vishisht ke paas chali gayi
Guru Vishisht ne apna ek haath Avantika ke sar par rakh diya ek safed roshni Guru ji ke
haath se nikli aur Avantika ke sar me sama gayi Avantika ki aankhen band ho gayin usse
apne pichle janam ki saari baatein yaad aane lagi uski shiskhsa Baba Vishakht ka
shadyantra uska mrityu ko prapt hona uski peechli zindagi me beeta har sukh dukh usse
dikhne laga Avantika ke band aankhon se bhi aansu nikalne lage Guru Vishisht ne apna
haath Avantika ke sar se hata diya Avantika Babaaaa kehte hue apne pita ke gale lag gayi
Avantika ko toh apni sachai bas abhi pata chali thi par Guru Vishisht toh iss kadwi sachai
ke saath najane kitni sadiyon se jee rahe the apni beti ko apne seene se lagate hue unki
aankhon se bhi aansu nikal gaye kafi der tak dono baap beti ek dusre ke gale lage rahe fir
Guru Vishisht ne Aarti ko khud se alag karte hue kaha

Guru Vishisht:- putri meri aakhri iccha thi ki aaj main tumhe punah ek baar saamne se
dekh lun jo aaj maine dekh liya pichle janam ki smriti ke saath saath maine tumhe tumhari
vidhya bhi lauta di hai aur kuch aur cheezen bhi jo maine samadhi ke waqt mehsoos ki thi
ab mera dharti par kaarya sampann hua mere jane ka samay aa gaya hai

Avantika:- jane ka nahi nahi abhi abhi toh aap mujhe mile hain aap kahi nahi jayenge

Guru Vishisht:- nahi putri yahi mera bhagya hai mera jeevan kaal yahi tak tha par tum
udas mat honamain hamesha tumhare hriday me rahunga sada khush rehna putri Guru
Vishisht ne apni beti ke sar par haath firaya aur tabhi Guru Vishisht ke upar ek roshni padi
Guru Vishisht ka sharir uss roshni ka ek hissa ban gayab ho gaya apne pitah ko fir se ek
baar kho diya tha Avantika ne fark sirf ye tha ki peechli baar wo apne pitah se door chali
gayi thi aur iss baar uske pitah usse door chale gaye the
Flashback ends:

At Night:

Shanaya:- ab ye kaha gayi? arre ye waha kya kar rahi hai? kamaal hai kal tak toh isse yaha
din me bhi akele me dar lagta tha aur ab raat ko bhi yun akele baithi hai ruko bulakar laati
hun darasal baat ye thi ki hum sab khaana khaane ke baad bonfire ke paas baithe hue aag
sek rahe the par Avantika madam hum sabse door ek gire hue ped ke tane me akeli baithi
hui thi

Main:- ruko main bulata hun main uthkar Avantika ke taraf chal pada

Main:- baap re yaha kitna shor hai naa meri awaaz sun Avantika palti

Avantika:- shor ulta bol rahe ho yaha toh kitni shaanti hai

Main:- baakiyon ke liye par tumhare liye toh shor hi hai naa Avantika apne chehre par
sawal liye meri taraf dekhne lagi

Main:- kehte hain ki jab koi akele me aankhon me dard ka samandar liye baitha ho toh
bhale hi uske aas paas kitni hi shaanti kyu naa ho uske dil me uske dimag me shor macha
hua hota hai main ussi shor ki baat kar raha hun Avantika meri aankhon me dekhne lagi

Main:- ab isse kehte hain hunar hum aaj tak kisi se baaton me nahi haare par aaj aapki
khamoshi se haar baithe Avantika meri baat sunkar muskura di

Main:- bas aise hi hasti raha kijiye bhale iske badle aapki koi bhi demand kyu na ho banda
puri kar dega

Avantika:- sach

Main:- jo ek baat ko do baar dohraaye wo Vj nahi

Avantika:- soch lijiye kahi hum kuch aisa na maang le ki aapko peehe hatna pade

Main:- hmm matlab sach me madam ko kuch chahiye ab darana chhodiye aur bataiye ki
kya chahiye?

Avantika:- yaha se west me do km door jo electrical boundry hai usse thoda aur aage jane
par ek waterfall hai mujhe waha jana hai le ja sakte ho?

Main:- jaan sakta hun waha kya hai?


Avantika:- blood flower aur snowy flower hindi me inhe rakt ful aur shweth ful kehte hain
aur bhi kuch pedo me latki pattiyan hai jo bohat rare hain mujhe wo chahiye

Guru Vishisht ke samadhi lene ke baad unke sharir se tarange nikalkar pure Secrilla forest
me faili thi jiski wajah se unhe yaha par kya kya hai wo sab kuch maalum pad gaya tha wo
inhi cheezon ke bare me baat kar rahe the aur in cheezo ka gyaan marne se pehle unhone
apni beti ko de diya tha

Main:- ye red flower aur snowy flower hai kya aur kis kaam aati hai?

Avantika:- wo actuallyy

Main:- tum itna soch kyu rahi ho? ye chizen kisi galat kaam ke liye toh use me nahi aati

Avantika:- arre nahi nahi wo actually agar maine inke bare me bata diya toh tum hasoge

Main:- nahi hasunga

Avantika:- promise?

Main:- promise yaar ab batao bhi

Avantika:- kaha jata hai ki sadiyon pehle devil's apne dushmano ko aur bandiyon ko chal
se ek ras matlab ek liquid pilaate the uss dravjo bhi peeta tha unka sharir andar se khokla
hona shuru ho jata tha ek tarike se kaha jaye toh unke andar ke sharir ko lakwa yaani
paralytic attack maar jata tha aur kaha jata tha ki ab wo insaan kabhi bhi thek nahi ho
sakta par ye baat bohat kam ya fir ye kahu naam bhar ke log jante the ki un logon ko bhi
blood flower ke zariye bachaya jaa sakta tha

Main:- aur snowy flower? Avantika ne mujhe snowy flower ke bare me bhi bataya jiske
bare me aapko baad me pata chalega

Main:- waise uss ras I mean uss liquid ka kya naam hai jise body ko khokla kiya jata tha?

Avantika:- kaiwa

Planet: Isla Place: Palace garden

Ashley:- putri kya Lord of Angels ne fir kabhi tumse baat ki

Alesendra:- nahi maa wo bhala mujhse kyu baat kare ge? subah ka waqt hai king Solomon
apni patni Ashley aur putri Alesendra ke saath apne palace ke bahar bane garden me
ghum rahe hain
King Solomon:- beta uss din ki tumhari baat sunne ke baad se hum unse milne ke liye
betaab hain itni betabi aap sab ne humse milne ke liye toh kabhi nahi dikhayi ye awaaz
jaise hi king Solomon Ashley aur Alesandra ke kaano me takrayi teeno ke chehre par ek
saath do expressions aaye

1st:- shock

2nd:- dar achanak ek nayi awaaz kaano me padne ki wajah se teeno shocked hue aur teeno
dare isliye kyu ki wo jante the ki ye awaaz kiski hai?

Teeno ek saath:- Asmodeusss unke ye naam lete hi charon taraf Asmodeus ki hasi gunj
gayi uss garden me kuch 10 baraah log kuch kaam kar rahe the aur garden ke bahar charon
taraf mahal ke sainik bhi moujud the par ye kya itni zordar tez bijli kadakne ke shor se bhi
unchi hasi un teeno ke alawa aur kisi ko sunayi nahi di chaliye aapko iski wajah bhi bata
deta hun darasal Alesendra ne Asmodeus se ye vachan liye tha ki wo kabhi bhi Isla grah
par kadam nahi rakhega aur naa hi kabhi kisi Isla waasi ko uski wajah se koi pareshaani
honi chahiye Asmodeus ne Alesendra ko in dono ki hi baaton ke liye haan toh keh diya tha
par ek shart ke saath ab Asmodeus ki wo shart kya thi ye apko baad me pata chalega filhal
ke liye itna jaan lijiye ki ussi vachan ki wajah se Asmodeus ki awaaz sirf king Solomom unki
patni aur putri Alesendra hi sun paa rahe the

King Solomon:- hamare karm hi batate hain ki log humse milne ki dua kare ge ya fir ye dua
kare ge ki dobara humse kabhi mulakat na ho aur tum achi tarike se jante ho Asmodeus
ki tumhare liye kya dua nikalti hai

Asmodeus:- hahaha ye bhi sahi hai mujhe aapse ummid bhi nahi hai ki aap mere bare me
kuch acha sochen par Alesendra jhoot hi sahi kamse kam tum toh ye keh do ki meri awaaz
sunkar tumhe khushi mili

Alesendra:- jhoot aur paap tumse judi chizen hai Asmodeus aur tumse judi har cheez se
mujhe sirf nafrat hai

Asmodeus:- aisa kehkar tum khud ko hi kos rahi ho Alesandra kyu ki mujhse agar koi sabse
zyada juda hai toh wo tum ho

Alesendra:- achai kabhi bhi burai ke saath nahi jud sakti

Asmodeus:- agar main itna hi bura hota na Alesendra toh tumhara vachan nahi maana
hota tumne kab mujhe samjha hai jo aaj samjhogi khair aaj ek khaas wajah se maine aap
ko yaad kiya hai mujhe aapse kuch puchna hai? Asmodeus ki baat sun teeno firse shocked
ho gaye kyu ki teeno ye ache se jante the ki Asmodeus ka sawal bhi uske jitna hi
khatarnaak hota hai

Alesendra:- kya puchna chahte ho? Alesendra ne dhadakte dil se ye sawal kiya

Asmodeus:- fountain of light Asmodeus ki awaaz ne jaise hi fountain of light kaha teeno
ke dil ki dhadkan aur tez ho gayin

Alesendra:- fountain of light matlab? wo toh sadiyon pehle hi gayab ho chuki hai wo bhi
tumhari wajah se

Asmodeus:- hmm par maine kuch dino pehle uski energy fir se mehsoos ki par bas kuch
hi palon ke liye jab tak main haqiqat ka pata lagata wo energy gayab ho gayi ab ye sab kya
chakkar hai iske bare me aap teeno se behtar aur kaun janta hoga?

doston aap sab ke mann main ye sawal aa sakta hai ki Asmodeus jise sab kuch dikh jata
hai usne kuch dino pehle Isla me jo kuch bhi hua usse kaise nahi dekha? iska jawab aapko
hamare hero ke yaha aane ke baad mil jayega

Alesendra:- chakkar kaisa chakkar? koi chakkar nahi hai Asmodeus aur waise bhi humse
behter tumhe har badi shakti ke bare me pata rehta hai agar tumhe kuch gadbad lag rahi
hai toh tum khud hi pata laga lo Alesendra ne ye baat bol toh di thi par andar hi andar wo
ye dua kar rahi thi ki Asmodeus ko kuch bhi pata na chale

Asmodeus:- hmm thek hai fir se ek baar nirash karne ke liye shukriya bohat jald mulakat
hogi iske baad Asmodeus ki awaaz aani band ho gayi Alesendra king Solomon aur Ashley
ek dusre ki taraf dar aur tension wali nazar se dekhne lage

Planet: Earth Place: Secrilla - day: 4

Students ye hai the Mercia river iske bare me aap sabhi ne suna hi hoga isse ek aur naam
se bhi bulaya jata hai koi wo naam bata sakta hai?

Anjali:- the Divine river Divya nadi pichle 3 dino ki hi tarah aaj ke din ki bhi hamari shuruat
early morning hui kal raat main aur Avantika uss waterfall se kareeb 3 baje laute aur aaj
subah 8 baje tak ready hokar hamare guide ke peeche peeche ho liye hum kareeb ek
ghante tak chalte rahe & finally apne aaj ke destination me pahunch gaye jiske bare me
abhi abhi guide sir ne bataya tha

Guide:- very good kya aap bata sakti hain ki iss nadi ko aisa kyu kaha jata hai?
Anjali:- maana jata hai ki laakhon saal pehle iss nadi me angels nahaya karte the jiski wajah
se unki divinity iss nadi ke paani ke saath mil gayi thi aur issi wajah iss paani me bohat si
aloukik shaktiyan aa gayi thi iss baat ka pata chaar devils ko lag gaya (Abbadon Lilitha
Abraxas aur late Valefor) un charo ne iss nadi ki shakti ko haasil karne ki sochi par wo jante
the ki angels ke rehte wo ye nahi kar payenge issliye unhone ek bhram ko janm diya
unhone pure nadi ke upar ek kaali parat jamadi jab angels ne uss kaali parat ko dekha toh
shocked ho gaye wo iss baat ka pata lagane hi wale the ki unke saamne charon devils
prakat hue aur unhe bataya ki unhone hi iss nadi me angels ki punya shaktiyon ke beech
apni paap ki shaktiyan mila di hain angels un charo ko iss baat ka dand dete par usse pehle
hi wo charon gayab ho gaye angels ka mann iss nadi se uth gaya aur wo sab bina devils ke
jhoot ko jaanche gayab ho gaye angels ke gayab hote hi charon devils wapas prakat hue
unhone wo kaali parat hata di aur iss nadi me ghus gaye unhone iss nadi ki saari shakti
apne andar kheench li shakti kheenchne ke baad unhone iss nadi ko sach me dushisth aur
paapit karne ka socha unhone apne kaale jaadu ka proyag iss nadi par kiya par wo
kaamiyab nahi ho paye unhone kafi prayas kiye par jab koi result nahi nikla toh unhe jitna
mila utne me hi santusht ho wapas chale gaye uss din se iss nadi ki shaktiyan isse chhin
toh gayi pur puri tarike se nahi maana jata hai ki aaj bhi agar kisi pavitra cheez ko isme
dubaya jaye toh iski divyata uss cheez me chali jati hai Anjali ke jawab ko sunkar sabhi ne
taali bajayi

Guide:- kya baat hai beta aapne toh iss jagah se jude mythological book ke saare panne
khol diye ek baat toh maanni padegi ki aap sab commerce student hone ke baawajud
history myths geography aur medicines ke bare me kafi kuch jante hain

Guide:- ye toh thi mythological baat ab ek scientific sach hai iss river ka mere piche aayiye
main aapko uske bare me batata bhi hun aur dikhata bhi hum sab guide sir ke peeche
peeche chalte hue aage badhe Mercia river ke charo taraf ped hi ped the par in pedon ki
hight kafi kam thi hum sab guide sir ke peeche peeche uss nadi ke left side se hokar kuch
door tak chalte rahe fir ek jagah pahunchkar ruk gaye

Guide:- ye poudhe aap jo ped dekh rahe hain unka hi amatuer roop hai ab inki khaasiyat
suniye in poudho ke churn mera matlab powder se kidney patients ko theek kiya jata hai
ye powder kafi mehenge price me bikte hain aur jab ye poudhe aage chalkar in trees ka
roop le lete hain toh in trees ke leafs se se jo medicine banta hai usse heart ke blockages
ko hataya jaa sakta hai issi wajah se iss river ka naam Mercia river matlab rehem karne
wali nadi rakha gaya yaha aur bhi kayi medicine plants hain aayiye main un sab ke bare
me aapko batata hun
Shanaya:- yaar aaj subah se tu ye mixed reactions kyu de rahi hai? hum sab guide sir ek
saath aage badhe toh Shanaya ne Avantika se pucha

Anjali:- haan ye baat toh maine bhi gour ki hai par Avantika bina kuch bole aankhon me
sawal liye dono ki taraf dekhne lagi

Anjali:- ab kuch bolegi bhi?

Avantika:- mujhe toh yahi samjh nahi aaya ki ye mixed reaction kya hota hai

Shanaya:- arre tu kabhi ekdum khush dikhti hai toh fir achanak udaas ho jati hai kabhi
kuch sochne lag jati hai fir achanak ya toh muskurane lagti hai ya fir udaas ho jati hai yahi
hai mixed reactions jo tu aaj subah se de rahi hai

Avantika:- tu na mere chehre ke reaction ko note karna chhod aur sir jo baatein bata rahe
hain naa wo note kar

Shanaya:- baat ko ghuma mat sach sach bata

Avantika:- arre kuch hai hi nahi batane ke liye toh bataun kya? arre actually kal raat ko
main ek thrillar novel padh rahi thi usme itne saare twists aur turns the naa ki pucho hi
mat maine wo book aadhi padhi hui hai aaj subah se hi wo book mere dimag me chadhi
hui hai main subah se yahi soch rahi hun ki uss story me aage kya kya hoga? kuch positive
hoga sochti hun toh khush ho jati hun aur kuch negetive hoga sochne par sad simple

Shanaya:- tu bhi naa ek dum paagal hai ek novel ke bare me kya sochna? ab novel ko
chhod aur yaha focus kar dekh sir kitni interesting cheeze bata rahe hain

Anjali:- aur nahi toh kya chalo sab aage nikal gaye hain Shanaya Anjali aur Avantika aage
badh gaye Avantika ne in dono ko toh jhoot ki goli de di thi par khud firse kal raat ke bare
me sochne lag gayi

Flashback from last night:

Main:- sabko so jane do fir chalte hain? Avantika ne jab mujhse uss waterfall par usse
lejane ke liye pucha toh maine ek sidha aur simple sa jawab de diya mera jawab sun
Avantika shocked ho gayi usne socha tha ki main mana kar dunga

Avantika:- arre main mazak kar rahi hun main toh bas dekh rahi thi ki tum kya jawaab
doge
Main:- no pestum serious ho tum sach me waha jana chaahti ho par ab issliye mana kar
rahi ho kyu ki tumhe pata hai ki waha khatra hai toh ab jhoot bolna band karo Avantika
kuch der tak mujhe dekhti rahi phir boli

Avantika:- haan ye sach hai ki main jana chahti hun par jayenge kaise? mera matlab wo
jagah kafi door hai aur khatra bhi toh hoga hi naa?

Main:- wo sab main dekh lunga abhi ke liye tum sab kuch bhool kar sabke saath enjoy
karo main Avantika ka haath pakad kar sabke paas le aaya fir kuch khaas na hua hum sab
kuch der tak masti karte rahe fir sone ke liye apne apne tents ki taraf chal diye

Midnight 12 am

Main:- chalen main 12 bajte hi chup chaap utha aur jaise hi bahar aaya toh dekha ki ek
ladki abhi bhi bon fire ke saamne baithi hui thi ye aur koi nahi Avantika hi thi main uske
paas chala gaya

Avantika:- hmm par jayenge kaise? main ek taraf badh gaya aur Avantika ko apne peeche
peeche aane ka ishara kiya

Avantika:- arre ye yaha kaise?

darasal hum tents ke peeche ki taraf gaye jahan ek jungle me use hone wali bike rakhi hui
thi hamare saath jo security ke liye jo log aaye the ye unme se ek ki thi

Main:- jiski ye bike hai maine uske pocket se chaabi nikal liya tha maine bike ko nikala aur
usse dhakka dete hue thodi aur door le gaya taaki jab main isse start karun toh iski awaaz
koi sun na len

Main:- baithi ye maam Avantika mere piche baith gayi maine kick maar bike start ki aur
bhaga di

Avantika:- arre Vj slow yaar andhera hai aur uske upar tum itni tez bike chala rahe ho
accident ho jayega

Main:- relax yaar kuch nahi hoga hume jitna jaldi ho sake waapas bhi toh aana hai naa
Avantika ne apni aankhe band kar li thi aur main bike bhagaye jaa raha tha kuch 5 minute
me hi hum uss electric wall ke paas the

Main:- aankhen kholiye madam hum pahunch gaye Avantika ne jab aankhen kholi toh
dekha ki bike ruk chuki hai aur hum diwal ke paas aa gaye hain
Avantika:- thank God par ab kya isse kaise paar kare?

Main:- arre uss taraf dekho waha ek gate bhi hai maine apni jeb se ek torch nikala aur ek
taraf flash kiya waha ek lohe ki gate thi jise electicity ki wiring attach nahi hui thi hum
dono ussi taraf chal diye maine gate ke top ko pakda aur apne aap ko upar push kiya agle
hi pal main gate ke upar tha Avantika toh mujhe aankhen faade dekh rahi thi

Main:- arre yaar gymnast bhi hun itna toh aaram se kar hi lunga naa aao maine apna haath
niche kar diya jise Avantika ne pakad liya maine Avantika ko ek jhatke me upar kheench
liya aur jab tak wo kuch samjh ya bol paati main usse lekar dusri taraf kood chuka tha

Main:- chalen Avantika toh ab tak shock me khadi thi kabhi wo apne aap ko dekhti toh
kabhi uss gate ko jispar maine usse ek pal pehle kheencha tha

Main:- shock ki aadat daal dijiye maam par filhaal ke liye chaliye Avantika chup chaap kisi
bacche ki tarah mere peeche peeche chal padi hum dono kuch 20 min tak chalte rahe
mujhe toh raat ho andhera ho dikhne me toh koi pareshaani thi nahi main chalta raha aur
Avantika bhi mere bharose mere peeche peeche chalti rahi

Avantika:- wow hum aa gaye hum kuch 20 minute tak lagatar chalne ke baad Avantika ke
bataye gaye waterfall ke paas pahunch gaye apne saamne waterfall ko dekh Avantika
bohat khush ho gayi

Main:- haan pahunch toh gaye chalo ab tumhare dono flowers ko dhundte hain

Avantika:- haan chalo hum dono Avantika ke bataye flowers ko dhundne lage iss waqt
Avantika ke se zyada main in dono flowers ko dhundne ke liye excited tha khaas kar ke
blood flower ko iske do kaaran the

1st:- jaisa ki Avantika ne bataya tha ki blood flower se kaiwa ke ras ke asar ko khatam kiya
jaa sakta tha

2nd:- iss flower ki taakat ko main maine yaha aate hi mehsoos kar liya tha par main iss
flower ko detect nahi kar paa raha tha aur ye koi choti mati baat toh thi nahi main bade
dhayan se har jagah dono flowers ko dhundne laga aur tabhi

Main:- Avantika wo dekho ek bada sa white flower dekho zaraye wahi toh nahi jise tum
dhund rahi ho main yaha waha dekh hi raha tha ki itne me meri nazar ek jagah par padi
uss jagah kuch jungli white lilys ke poudhe the un white lilys ke peeche ek aur white flower
dikh raha tha par uska aakar un lilys se zyada tha hum dono uss taraf chal diye Avantika
ne uss white flower ko toda aur usse smell karne lagi fir Avantika ne uss flower ko ulta
kiya aur uski patli si dangali ko halke halke dabane lagi tabhi uss dangali se halka sa ras
nikla jiske nikalte hi Avantika ki aankhen chamak gayin

Avantika:- ye wahi flower hai ye bolte wat Avantika kafi excited ho gayi thi waha par 3-
for white flowers aur the Avantika unhe bhi todne lagi

Main:- tum yahi raho main wo blood flower dekh kar aata hun

Avantika:- thek hai par sambhal ke kaha jata hai ki uss bloodf lower ke aas paas bohat hi
zehrile saamp rehte hain

Main:- main dhayan rakhunga abhi tak maine waterfall ke side ki sab jagah dekh li thi
issliye iss baar maine waterfall ke paas jane ki sochi main aage ki taraf badh gaya maine
dheere dheere chalte hue har taraf nazar ghumali thi par abhi tak mujhe uss blood flower
ka naamo nishan tak nahi mila tha

Main:- (mann main) kaha hoga ye rakht ful? iska milna bohat zaroori hai maine thoda aur
aage jane ki sochi aur aage badh gaya ab main waterfall ke paani ke daayre me ghus gaya
tha main jhuk kar har taraf dekhne laga

Avantika:- Vjjj waha kya kar rahe ho? itne thande paani me utarne ki kya zaroorat thi
maine dekha Avantika mere saamne hi kuch doori par khadi thi uske haathon me 3 white
flower the

Main:- maine baaki sab jagah dekh liye hain bas yahi jagah bachi hai toh dekh raha hun

Avantika:- arre wo koi kamal ka ful thodi hai jo paani me ugega cahlo bahar aao main apni
nazar ek baar fir se har taraf ghumakar paani ke bahar aane ke liye muda hi tha ki main
ruk gaya main turant wapas muda aur tezi se apne right taraf badh gaya

Avantika:- arre ab kaha jaa rahe ho? par maine uski baat nahi suni aur tezi se aage badhte
hue ek jagah aakar ruk gaya darasal baat ye thi ki maine jab aakhri baar har taraf apni
nazre ghumayi toh achanak mujhe apne right ki taraf ek bade se patthar ke niche kul laal
sa dikha issliye main uss aur badh gaya tha aur uss patthar ke paas pahunchte hi mera
shak yakin me badal gaya wo laal si dikhne wali cheez blood flower hi thi main excitement
me Avantika mil gaya tumhara blood flower meri baat sun Avantika bhi uss thande paani
me se hote hue jaldi se mere paas pahunchi Avantika ne bhi jaise uss blood flower ko
dekha excitement me chillate hue mere gale lag gayi maine bhi usse apni baahon me
samet liya tha hum dono kuch der tak yunhi ek dusre ki baahon me khade rahe par
Avantika ko jaise hi ye ehsaas hua ki wo meri baahon me hai wo mujhse alag ho gayi iss
kaali andheri raat me bhi mujhe uske gaalo ki laali saaf dikh rahi thi

Avantika:- wo main actually

Main:- its ok yaar waise bhi hum dost hain itna toh chalta hi hai naa

Avantika:- (mann main) agar hum sirf dost hai toh tumse gale lagte waqt mera dil itna tez
kyu dhadka fir? maine Avantika ke mann ki baat sun toh li thi par maine kuch kahanahi

Main:- ruko main nikalta hun tumne hi kaha tha na ki iss flower ke aas paas snakes ho
sakte hain Avantika ne jaise hi apne haath uss flower ko nikalne ke liye badhaye maine
usse rok diya aur khud neeche kjhuk kar paani ke andar haath daal blood flower ko nikal
liya ssss Vj ssss ki awaaz mere mouh se nikli uar mere naam ki cheekh Avantika ke mouh
se hua ye ki blood flower ke jadon ko ek kaale saanp ne lapete hue tha jaise hi maine apna
haath paani ke andar daal flower ko jad se pakad kar uthaya flower sahit saanp bhi bahar
aa gaya Avantika ne torch niche ki taraf jahan maine haath daala tha waha kiya tha paani
se bahar aate hi saanp ne mere haathon me kaat liya issliye mere mouh se ssss ki awaaz
nikli aur Avantika ke mouh se mere naam ki cheekh ab uss saanp ke kaatne ka mujhpar
koi asar toh hona nahi tha par kyu ki Avantika ne saanp ko mujhe kaatete hue dekh liya
tha issliye acting toh karni hi thi maine apna haath jhatak diya jise saanp door fenka gaya
Avantika ne meri kalaayi jhat se pakad li ab meri kalaayi se khoon toh niklane se raha haan
par uspe saanp ke dono daaton ke nishan zaroor ban gaye the Avantika ke aankhon se
aansu nikalne lage wo jhat se mudi aur bhaagte hue ek taraf gayi main bhi chalta hua ussi
taraf badh gaya par jaise hi maine Avantika ko wapas aate hue dekha maine thoda nashe
me jhoomne ki acting start kar di

Avantika:- tension mat lo Vj main tumhe abhi thek kar dungi Avantika ne rote hue ye baat
kahi thi Avantika ke haathon me iss waqt kuch jungli patte the aur ek patthar tha Avantika
ne un patton ko moda aur uss patthar se un patton ko ghisne lagi kuch hi der me un patton
se kuch liquid tapakna laga Avantika jhat se mere paas aayi aur un patton ko mere kalaayi
par jahan saanp ke daaton ke nishaan bane the unke upar nichodne lagi un patton ke ras
mere kalayi par girne lage

Avantika:- iss ras se uss saanp ka zeher pura khatam ho jayega tumhe chakkar aa rahe
hain naa ab main nahi toh bol nahi sakta tha

Main:- haan thoda thoda

Avantika:- tum thodi der ke liye let jao


Main:- arre nahi main thek hun par Avantika ne toh jaise meri baat suni hi nahi wo mujhe
pakad kar paani se bahar le aayi wahi bahar ek lamb sa chattan type ka patthar tha jo kisi
bed ki tarah dikh raha tha

Avantika:- tum yaha let jao tab uski baat na maanne ka risk main nahi lena chahta tha
issliye main uss patthar par let gaya Avantika ne mera sar apni godh me rakh liya tha ye
pal mere dil me do alag alag jasbaat paida kar raha tha jahan Avantika ki godh me sir rakh
mere dil ko sukoon mil raha tha wahi uske aankhon me aansu dekhkar mera dil bechain
ho gaya tha

Main:- Avantika plz tum rona band karo

Avantika:- sissakte hue aaj meri wajah se tumhare saath ye sab hua hai agar tumhe kuch
ho jata toh main khudkoo

Main:- tumhare hote mujhe kuch nahi ho sakta Avni please ro mat tumhare aansu mujhe
uss saamp ke kaatne se zyada dard de rahe hain meri baat sun Avantika ek dum se chup
ho gayi aur ek tak meri aankhon me dekhne lagi

Avantika:- (mann main) tum mere aansu nahi dekh sakte main tumhe dard me nahi dekh
sakti kuch waqt pehle tum mere dushman the fir hum dost ban gaye aur aaj tumhara dard
mujhe apni taklif lagne lagi hai

Avantika:- aakhir kaun ho tum? ye sawal Avantika ke mouh se apne aap nikal gaya tha

Main:- haqiqat

Avantika:- toh mujhe sapne jaisa kyu lagte ho?

Main:- khuli aakhon se dekhe gaye sapne aksar haqiqat me badal jaate hain

Avantika:- fir sapne aur haqiqat ke beech ka fark kaise pata chalega?

Main:- jab sapna bhi main hun aur haqiqat bhi main toh fark karne ki zaroorat hi kya hai?

Avantika:- agar kabhi ye sapna toota aur haqiqat kuch aur nikli tab main kya karungi?

Main:- sapne ko haqiqat se jod do fir kisi aur haqiqat ke liye koi jagah hi nahi bachegi

Avantika:- itni jaldi faisla lena naadani hogi agar haqiqat ko sapne se jod diya toh kisi apne
se be imaani hogi (Digvijay)

Planet: Warriors of the World Place: Palace court


Iss drav ka swaad kamaal ka hai iske aage sabhi drav fike lagte hain hum iss drav ka sevan
najane kitne varshon se kar rahe hain par aaj bhi iska swaad kuch naya sa lagta hai subah
ka waqt hai king Crusedar apni sabha me baithe hain unke saamne senapati Heinsberg
aur warriors world ke kuch khaas salahkaar khade hain sabhi ke haathon me wo drav hai
jise Defender ne unhe kaiwa ke ras ka kaat bata kar diya tha

Heinsberg:- sahi kaha maharaj aapne par ek baat hai hum sab najane kitne varshon se iss
drav ka sewan kar rahe hain par abhi tak hume iss drav ka naam bhi nahi pata aur naahi
ye ye pata hai ki ye drav aakhir banta kisse hai?

Salahkar 1:- mujhe lagta hai ki ye drav kaale angooro se bana hua hai tabhi toh iska rang
bhi kaala hai

Salahkar 2:- nahi mujhe nahi lagta ki ye drav angooron se bana hai iska swaad angoor ke
ras se bohat alag hai

Lord Crusedar:- sahi kaha jaanna toh hum bhi chaahte hain ki ye ras aakhir bana kisse hai
par iska jawab toh bas Defender ke paas hi hoga kyu ki unhone hi hume ye drav diya hai
par itni choti baat ke liye unka awaha kar unhe bulana thuik nahi hoga

Heinsberg:- kyu nahi hoga maharaj aap iss grah ke raja hain aapka rutba kahi se bhi
Defender se kam nahi hai aur sabse badi baat maharajaap bhul rahe hain ki Defender ko
taakat humari taakat ki wajah se milti hai humse wo hain unse hum nahi Lord Crusedar
ko Heinsberg ki baat sahi lagi aur iss soch ke mann main janm lete hi Defender unhe khud
se kamzor lagne laga unke chehre par ghamand ke baadal chaane lage wo abhi Defender
ka awaha karne hi wale the ki aapko mera awaha karne ki zaroorat nahi hai maharaj main
yahi hun aur issi ke saath Lord Crusedar ke darbaar ke beech ek tez roshni hui aur ussi
roshni ke beech se Defender bahar nikle jab bhi Defender lord cruseder ya iss grah ke kisi
bhi manushya ke saamne aata tha toh sabhi uske aage jhuk jaate the par aaj aisa kuch bhi
nahi hua Lord Crusedar apne singhasan se uthe tak nahi aur nahi unke senapati ya baaki
ke salahkaar me se koi Defender ke aage jhuka aur ye parivartan dekh kar Defender ke
hothon par ek fiki si musknaan aa gayi

Lord Crusedar:- aayiye Defender hum aap hi ko yaad kar rahe the darasal hum sabhi ke
mann main ek sawal haijiska uttar aap hi ke paas hai

Defender:- aap yahi janana chaahte hain naa ki jis drav ka aap varshon se sewan kar rahe
hain uska naam kya hai aur wo kis cheez se bana hai

King Crusedar:- ji yahi sawal hai hamara?


Defender:- iss drav ka naam hai kaal drav aur ye bana hai black pearl se

Lord Crusedar:- kaal drav kitna nakaratmak naam hai ye aur ye black pearl kya hai kissi
khaas kism ka fal hai kya?

Defender:- nahi maharaj black pearl koi fal nahi balki ek poudha hai aur ye poudha sirf ek
hi grah me paya jata hai Monslickel me Monslickel naam sunkar Lord Crusedar aur waha
khade baaki sabhi ko ek jhatka laga par agle hi pal wo sab shaant ho gaye

Lord Crusedar:- ye toh lord of devil's ka grah hai naa ye baat lord Crusedar ne badi izzat
ke saath kaha tha jiska kaaran tha wo drav uss drav ko peete hi peene wale ke mann main
bure kaam karne walon ke liye izzat paida ho jati hai aur Asmodeus toh burai ka devta hai
uske liye toh izzat double ho jayegi naa

Defender:- haan maharaj ye wahi grah hai aur black pearl poudha hi ek maatra pouda hai
jo uss grah me ugta hai

Lord Crusedar:- tabhi ye drav itna mitha aur swadisht hai

Defender:- zyada mitha sehat ke liye haani karak hota hai maharaj har wo chiz jo swadisht
aur akarshak lage zaroori nahi ki wo achi ho usse hume nuksaan bhi ho sakta hai

Lord Crusedar:- aap kehna kya chaahte hain Defender?

Defender:- yahi ki aap iss kaal drav ka sewan karna band kar den maharaj Defender ki baat
sun Lord Crusedar krodhit ho gaye

Lord Crusedar:- aap ye keh bhi kaise sakte hain Defender aap ache se jante hain ki iss drav
ke sewan kare se hi humpe uss kaiwa ke ras nish prabhavit hai jaise hi hume iss drav ka
sewan band kiya hum sab mar jayenge

Defender:- aap sab waise bhi kaha jeevit hain maharaj isS drav ke sewan ki wajah se aap
sab ki aatma mar chuki hai aur bina aatma ke sharir ka kya mol isse acha toh yahi hoga ki
aap sab mar jaye

Lord Crusedar:- Defenderrr aap apni hadh bhul rahe hain aap jante hain ki aap kiske
saamne khade hain?

Defender:- ek aise sadharan vyakti ke saamne jise maine hi iss grah ka raaja ghoshit kiya
tha aur aap aaj mere saamne hi unchi awaaz me baat kar rahe hain par main aapse naraz
nahi hun maharaj kyu ki ye sab kiya toh maine hi hai naa aap sabne ye drav mere kehne
se hi toh pina shuru kiya tha khair main janta tha ki mere kehne se toh aap meri baat
maanenge nahi kyu ki iss waqt aap nahi aapke rago me doudta hua ye drav baatein kar
raha hai par kyu ki ye galti mujhse hui thi issliye ek prayas karne main aapke samaksh aa
gaya ab main chalta hun maharaj ab dobara main aapke saamne tabhi aaunga jab aapko
isse bachane wala mere saath hoga ye bolkar Defender gayab ho gaye

Heinsberg:- maharaj Defender toh chale gaye ap hume ye drav kaun dega?

Lord Crusedar:- chinta mat karo senapati abhi hamare bhoj bhandar me kafi maatra me
ye drav rakha hua hai hume varsho tak iska sewan kar sakte hain aur jab ye khatam hone
ko hoga tab hum devil's lord ka awaha kare ge hume pura yakin hai ki devil's lord apne
bhakton ki awaaz zaroor sunenge aur humpar apni kripa barsaayenge

Planet: Earth Place: College Canteen

kya baat hai Digvijay dekh raha hun kuch dino se tu kuch shant sa ho gaya hai koi problem
hai kya? subah ka waqt hai Digvijay & frndz college ke canteen me baithe hue hain

Digvijay:- nahi yaar aisa toh kuch nahi hai

Frnd 1:- dekh nahi batana hai toh mat bata par jhoot toh mat bol

Frnd 2:- arre tu bhi naa itni si baat ko nahi samjhta arre yaar bhabhi ke bina bhai ka dil
yaha kaise lagega kyu sach bol raha hun naa? dost ki baat sun kar Digvijay bas muskura
diya

Frnd 2:- bhai ek baat poochun? Avantika ke saath tum serious ho ya ye bhi tumhari
baakiyon wali jaisi hi hai

Frnd 1:- abbe serious ho ya time paas tujhe kya karna hai?

Digvijay:- main batata hun ye Avantika ko chakhna chaahta hai Digvijay ki baat sun uske
sabhi dost shocked ho gaye

Digvijay:- abbe itna shocked kyu ho rahe ho tum sabne bhi toh ab tak ki meri saari gfs ko
mere baad chakha hai

Frnd 1:- bhai wo baat alag thi wo sab toh teri time paas thi naa par Avantika toh

Digvijay:- Avantika me kaun se par lage hue hain wo bhi baakiyon ki tarah hi hai ek baar
mera kaam ho jaye fir usse bhi tum sab aapas me baant lena

Frnd 1:- yaar Digvijay tu yaaron ka yaar hai maza aa gaya tu jaldi se usse bed par laa uske
baad hum bhi apna number lagaayenge
Digvijay:- waah dekho toh abhi kitna sharif ban raha tha ab aa gaya na apni aukat me

Frnd 1:- bhai kya karun bandi hi aisi hai ki usse dekhte hi rom rom machal uthata hai
Digvijay ke dost ki baat sun sabhi hans diye

Digvijay jaise hi ye awaaz Digvijay ke kaan me padi Digvijay ek jhatke me apni jagah par
khade ho gaya

Frnd 1:- abbe kya hua yun achanak kyu khade ho gaya?

Digvijay:- yaaro mujhe ek urgent kaam yaad aa gaya hai main aata hun Digvijay bina kisi
ki baat sun turant waha se nikal gaya college sheher se thoda bahar tha Digvijay turant
apni car me baith college se bahar nikla aur ek sunsaan jagah par apni car park kar gayab
ho gaya

Planet: Monslickel Place: Asmodeus palace

tumhe ek bohat hi mahatva purna kaarya karna hai Digvijay ye Asmodeus ki hi awaaz thi
dosto jise sunte hi Digvijay apne dosto ko chhod bhaag nikla tha aur gayab hokar yaha
Asmodeus ke saamne sar jhukaaye khada tha

Digvijay:- ye mera soubhagya hoga devil lord

Asmodeus:- tumhe yaad hoga apne aap ko aur shashakt banaane ke liye tum ek grah par
gaye the

Digvijay:- Mirror World

Asmodeus:- haan Mirror World jahan tumne Agrasena se shiksha prapt ki thi

Digvijay:- ji

Asmodeus:- tumhe maaloom hai Agrasena ko kya keh kar bulaya jata hai?

Digvijay:- Sword Lord

Asmodeus:- hmm Sword Lord aur kya tum iska kaaran jante ho?

Digvijay:- nahi maha mahim

Asmodeus:- kyu ki uske paas God dwara vardaan me prapt hui ek talwar hai uss talwar ka
koi saani nahi hai bade se bade spell hathi yaar uss talwar ke aage bekaar hain

Digvijay:- toh mere liye kya aadesh hain maha mahim kya main uss talwar ko Agrasena se
chhin kar yaha le aaun?
Asmodeus:- meri baat abhi khatam nahi hui Digvijay Asmodeus ki kathor ho chuki awaaz
ko sun kar sehem gaya

Asmodeus:- Mirror World khud Agrasena ne uss sword ki shakti se banayi hai isse se
andaza lagaya jaa sakta hai ki uss sword me kitni taaqat hai jab God ne Agrasena ko wo
sword di toh mujhe uski shakti ka aabhas ho gaya tha main usse paana chahta tha issliye
main Agrasena ke paas gaya maine Agrasena se uss sword ko maanga tha maine socha
tha ki Agrasena uss sword ko dene se mana kar dega par aisa hua nahi Agrasena ne uss
sword ko mere saamne rakh diya par jaise hi maine uss sword ko chune ke liye haath
badhaya wo sword gayab hokar wapas apne miyan me chali gayi pehle mujhe laga ki ye
Agrasena kar raha hai issliye maine usse baandh diya par uske baad bhi main uss talwaar
ko haasil karna toh door chu bhi nahi paya par maine kuch mehsoos kiya tha maine
mehsoos kiya tha uss sword ke vibrations ko har mayavi cheez kisi na kisi se judi hoti hai
apne manzil pahunche tak usme ek kampan si hoti hai maine wahi kampan uss sword me
bhi mehsoos ki thi jise ek baat saaf ho gayi ki bhale hi God ne wo sword Agrasena ko di thi
par Agrasena uss sword ka maalik nahi hai bas rakhwala hai uss sword ko abhi tak apni
manzil nahi mili hai aur main nahi chahta ki usse kabhi bhi apni manzil mile ab suno ki
tumhe kya karna hai fir Asmodeus ne Digvijay ko usse kya karna hai samjahaya Digvijay
ne ek baar fir Asmodeus ke aage apna sar jhukayea aur gayab ho gaya

Asmodeus:- (mann main) patte tumne bhi bichaye hain patte maine bhi bichaye hain
dekhte hain baazi kaun jeetata hai

Planet: Earth Place: Secrilla Day: 5

so students hum Secrilla forest ke restricted area ke border par pahunch gaye hain kal
raat hum kareeb 3 baje wapas laute the par jaisa ki har din hota aaya hai aaj ki hamari
shuruat bhi kafi early ho gayi thi hum sab kareeb morning 8 baje apne aage ke safar ke
liye nikal gaye the hum kafi jagahon par ruk kar waha ke poudhon aur alag alag cheezon
ke bare me jante hue aage badh rahe the issliye yaha tak yaha tak pahunchne me hume
kareeb 3 ghante lag gaye the aur jaisa ki sir ne bataya ki ab hum Secrilla forest ke border
par pahunch gaye hain

Guide:- yaha par bhi kuch kafi interesting cheeze hain jise hum aaj dekhenge jaise ki ye
guide sir ne ek ped ki taraf point kiya aur uski taraf badh gaye hum sab bhi sir ke peeche
peeche ho liye ki tabhi

Main:- shit
Ronit:- kya hua? main aur Ronit saath saath chal rahe the Ronit ne mere shabd sun liye

Main:- baad me baat karte hain aur koi mauka hota toh Ronit bina answer jane nahi
maanta par iss waqt mere maathe par ubhare tension ki lakiron ko dekhkar Ronit chup ho
gaya

Main:- (mann main) ab isse kaise niptu?

Guide:- so studentsis ped ke bare me koi kuch janta hai sir ki awaaz sunkar naahi main sirf
hosh me aaya balki agle hi second meri tension bhi khatam ho gayi aur mere honthon par
muskaan aa gayi sarvaswa surakhsha kawach prakatam complete protection maaya
vaakya m magical words maine do spells bole pehle mantra ke uchharit karte hi hamare
charon taraf ek adrishya strong kawach ban gaya ab yaha par koi bhi nahi ghus sakta tha
aur dusra spell kafi mazedar tha iss spell ka ye asar hona tha ki yaha par hui koi bhi baat
sirf hum hi sun sakte the agar koi bhi humpar nazar rakhe ho toh usse wahi sunayi dega
jo main usse sunana chahunga ab aap sab sochenge ki itni panchayat kyu? toh iska kaaran
hai ki jis baat ki mujhe tension ho gayi thi uska solution majhe guide sir ke dimag me mil
gaya tha ab ye sab aakhir hai kya ye aapko hamare kahani ke 3rd avum aakhri chapter me
pata chalega filhaal ke liye chal rahe scene me wapas chalte hain

Guide:- toh students koi iss tree ke bare me kuch janta hai?

Avantika:- Curious tree iss ped ka yahi naam hai iss ped ke branches ko cheel kar ek
powder banaya jata hai uss powder se ab tak 30 bimariyon ke medicines ban chuke hain
par scientists ka ye kehna hai ki abhi tak unhone iss tree ka bas 25 % iss sach jana hai unka
daawa hai ki iss ped se aur bhi kai medicines ban sakte hain issliye iss ped ka naam Curious
tree rakha gaya hai

Guide:- absolutely right par Secrilla ''the mystry'' book me iss ped ko ek alag naam diya
gaya hai koi janta hai ki wo naam kya hai?

Avantika:- Prison's key

Gudie:- bilkul sahi aur iska kaaran ye hai ki guide sir ne sabko iss tree ke mythological
naam ka reason bataya fir hum sabne kuch aur plants trees ke bare me jana kuch der baad
hamara lunch time ho gaya lunch ke baad hum sab ne Secrilla forest ke allowed area ke
last waterfall me kafi der tak masti ki iss dauran Anjali ne kuch chize notice ki par isse apne
dimag ka vehem maankar dimag me aaye uss khayal ko jhatak diya aise hi masti karte
karte kab raat ho gayi pata hi nahi chala raat ko hum sabne dinner kiya aur bon fire ke
paas baith gaye jahan aaj kisi ko ek jhatka lagne wala tha
At Bonfire:

Shaifali:- toh aaj kuch naya ho jaye hum

Sab:- kya?

Shaifali:- aaj hum ek aisa game khelenge jise game nahi kaha jaa sakta toh frndz karna ye
hai ki sabko ek ek karke sabke saamne ek sach bolna hoga ek aisa sach jo ki privately toh
kaha jaa sakta hai par publically nahi jiska sach sabse zyada impactfull hoga wo jeet jayega
toh shuru kare sabhi Shaifali ki baat sunkar excited bhi ho gaye aur nervous bhi ab sabke
saamne sach bolne me wo bhi ek private sachtoh nervousness toh hogi hi naa khairis sab
ke baawajud sab ye game khelne ke liye ready ho gaye

Shaifali:- toh kaun shuru karega?

Avantika:- main

Shaifali:- cool go on then main Avantika ke side me hi baitha tha mere baaju me Shanaya
uske baaju me Ronit aur Ronit ke baad Anjali baithi thi Avantika meri taraf ghum gayi

Avantika:- Vj ye baat maine kafi baar pehle bhi kahi hai par aaj ek baar sabke saamne
kehna chahti hun I’m really sorry for what I did pata nahi mujhe kis baat ka ghamand tha
jo maine tumhare saath bura kare ki koshish ki haan ye baat laga hai ki tum har mod par
mujhse do kadam aage hi the par uske baawajud tumne mere saath kuch bhi galat nahi
kiya aur yahi reason hai ki main khud apne nazar me gir gayi thi aur jab maine tumse mafi
mangi toh tumne ek jhatke me sab kuch bhulakar mujhe maaf bhi kar diya aur yaha tak ki
jab maine tumhari taraf dosti ka haath badhaya toh tumne usse bhi dil se eccept kar liya
dil se VjI’am really sorry Avantika ki baat sun kar waha baithe sabhi kafi emotional ho gaye
the

Main:- ek shart par main tumhari sorry accept karunga wo ye ki ye jo tumhare sorry wala
chapter hai naa wo aaj aur abhi se tumhe close karna hoga manzoor hai Avantika ne hans
kar haan me sar hilaya

Shaifali:- wow yaar emotional kar diya tune toh somoving onwho's gonna be the second
one? fir kya tha ek ke baad ek bande bandiyan aate gaye aur apne dil me chupe raaz
batate gaye kisi ki baat pe hum sab hans dete toh kisiki baat pe emotional ho jaate aur
kuch toh aise namune the jinke raaz batane ke baad bhi raaz hi rehte the wo aadhi baat
bataate aur aadhi chupa lete the
Shaifali:- wow yaar ye game toh jitna socha tha usse bhi zyada interesting banta jaa raha
hai ab kuch hi log bache hain so who's gonna be the next one?

Shanaya:- main kuch kehna chahti hun

Avantika:- teri aisi kaun si secret hai jo mujhe nahi pata

Shaifali:- nahi pata toh ab pata chal jayega ya Shanaya go on Shanaya apne right taraf
mudi aur

Shanaya:- I love u Ronit

Planet: Earth Place: Dhawalgarh

Dadi ji aap toh iss shahar me pichle 44 saalon se reh rahi hain aapko toh iss sheher ke
itihas ke bare me sab kuch maalum hoga beete dino me jo chamatkar hua hai uske bare
me aapka kya kehna hai? kya aapko lagta hai ki jo suni sunayi baaten Dhawali jheel ke
bare me kahi jati thi kya wo sach hain?

subah ka waqt hai Ahuja family ne just breakfast khatam kiya hi tha ki bohat saare news
reporters unke ghar aa dhamke aur Naveen samet ghar ke saare members se sawal karne
lage jiska main kaaran ye tha ki Ahujas family Dhawalgarh ke sabse purane khandano me
se ek hai aur unhe yaha ghati har ghatna ke bare me kafi kuch pata hai ab kis kaaran se
news reporters apne apne mike Ahujas ke mouh me thoos rahe hain ye aapko kuch hi der
me pata chal jayega

Dadi:- ji ye baat sach hai ki main Dhwalgarh me kafi saalon se reh rahi hun par aap mujhse
jo janana chahte hain uska jawaab mere paas bhi nahi hai aur waise bhi chamatkaro par
sawal nahi karte beta usse ishwar ka tohfa samjh kar chup chaap grahan kar lete hain

News reporter:- par ye bhi toh ho sakta hai ki iske peeche koi scientific reason ho

Dadi ji:- agar aisa hai toh aaj tak koi bhi vaigyanik iss baat ka asli kaaran kyu nahi bata paya
hai na jane kitne saalon se anginat shodh karta yaha aaye hain par kisi ke haath aaj tak
kuch bhi nahi laga beta tark karna achi baat hai par iska ye matlab nahi ki hum sachhai
par bhi apni apni alag alag pratikriya rakhen hamare maa baap jaise hamare ek maatr sach
hain thek ussi tarah ishwar aur uske chamatkar bhi ek sach hai jise naahi jhutlaya jaa sakta
hai naa hi uspe sawal kiya jaa sakta hai
News reporter:- aap ki baat sach hai dadi ji par agar hamare saamne achanak kuch alag
ghate toh uska kaaran janana aur uski tah tak pahunchna hamara farz hai shayad isse koi
nayi baat bhi saamne aa jaye

Dadi ji:- koshish karke dekh lo betashayad tumhe tumhare sach ka pata chal jaye mujhe
iss bare me zyada kuch nahi pata jitna yaha par basne wale log jante hain mujhe bhi utna
hi pata hai

News reporter:- dadi ji kya aap kisi aise vyakti ko janti hain jo humari madad kar sake?

Dadi ji:- Amrish Sehgal yahi ek aise insaan hain jinhe iss shahar se judi har baat pata hai
par ab wo yaha nahi rehte wo apne pariwar ke saath Mumbai shift ho gaye hain

News reporter:- thank u dadiji ab hum chalte hain saare news reporters Ahuja's mansion
se nikal kar pahunche Dhawali jheel ke paas ji haan doston Dhawali jheel ab ye wapas laut
aayi hai aur iski wajah toh aap sab ko maalum hi hai iss jheel ke saath do nayi cheezen bhi
hui hain

1st:- ab ye jheel jheel na hokar ek talab ko roop le chuki hai ek bada talab par iska paani
aaj bhi swach hai aur dusre reason ke bare me aapko kuch hi der me pata chal jayega

News reporter:- yahi hai wo chamatkaari jheel jo lagatar charcha ka vishay bana hua hai
chamatkari kaise ye aap khud hi dekh lijiye saare reporters apne camera man ke saath
Dhawali jheel ki ke shore par pahunch gaye jahan saare reporters khade the waha se
Dhawali jheel ka shore bas 50 metre ki doori par tha par saare reporters ko in 50 meter
ko cross karne me 10 minutes se upar lag gaye iska kaaran ye tha ki iss waqt kya har waqt
Dhawali jheel ke charon taraf hazaaron ki taadad me log moujud rehte tha ab aisa kyu
chaliye khud hi dekh lijiye

News reporter:- jaisa ki aap dekh rahe hai ki iss waqt Dhawali jheel ko hazaron logon ki
bheed ne gher rakha hai aayiye iska kaaran aur kaaran ke saath milne wale chamatkar ko
bhi dekh lete hain jitne bhi camera men the unhone apna camare Dhawali jheel ke shore
ki taraf ghuma diya bohat se log jinhe kodh tha ya aisi hi kayi laa ilaj beemari thi wo sab
Dhawali jheel me ek ek dubki laga rahe the jaise hi wo dubki laga kar bahar nikalte unke
saare rog appni me milkar khatam ho jaate the par iske saath saath ek baat aur bhi thi wo
ye ki jis bhi jagah koi dubki lagata wo jagah ek pal ke liye kaali ho jati maano dubki lagane
wale insaan ki beemari ko kheench rahi ho aur fir back to normal

News reporter:- toh dekha aapne aaj tak aap sab ne chamatkaro ki kaano suni toh kayi
saari batein suni hongi par hum aapko ek avishwasniya chamatkar ka aankhon dekha
namuna dikha rahe hain aur chamatkar ka silsila sirf yahi khatam nahi hota ye dekhiye iSs
waqt mere haath me CGWB department se jaari kiya gaya ye approved letter bhi hai jisme
ye saaf likha hua hai ki itne saare rogon ko harane wala ye paani ab bhi saaf hai in rogon
ka ek bhi bacteria Dhawali jheel me moujud nahi hai toh hua na ye double chamatkar hum
iss anokhe vishay par bane rahenge iske bare me aur janane ke liye aap hamare saath
bane rahiye

Planet: Mirrors World Place: Infront of the three mirrors

chaayaat manam self shadow Digvijay ke iss spell ko bolte hi usse khud ek jhatka laga par
fir sab kuch pehle jaisa ho gaya grah dvaram bandham iss spell ke bare me aapko baad
me pata chalega Digvijay ne apne dono haath failakar ye spell bola uske dono haathon se
kuch rays nikli aur har taraf failti chali gayi

Digvijay:- ye toh bohat aasan tha aahhh abhi Digvijay ka sentence khatam hi hua tha ki
usse ek bijli aakar lagi Digvijay karahaate hue door jaa gira tum toh wahi hona jisne kuch
samay purv yaha aakar shiksha li thi Digvijay ne awaaz ki taraf dekha uske saamne
Agrasena khada tha

Digvijay:- haan main wahi hun Digvijay ne khade hote hue kaha

Agrasena:- tumhari itni himmat ki tum yaha aakar kaali shakityon ke mantra bolo

Digvijay:- himmat tune abhi dekhi hi kaha hai Agrasena Agrasena Digvijay ki baat sun
krodhit ho gaye unhone apni talwar nikali abhi wo kuch karne wale hi the ki unke talwar
me ek tasvir ubhari jise dekhte hi unka ghussa shant ho gaya

Agrasena:- toh tujhe Asmodeus ne yaha bheja hai kyu? Digvijay Agrasena ki baat sunkar
bilkul bhi shocked nahi hua kyu ki usse Asmodeus ne pehle hi ye bata diya tha ki Agrasena
ke talwar nikalte hi usse iss baat ka pata chal hi jayega jo taswir Agrasena ne apne talwar
m dekhi thi wo Asmodeus ki hi thi uss talwar ki khubiyon me se ek khubi ye bhi hai ki uske
saamne wala kis mansoobe se aaya hai ye usse pata chal jata hai

Digvijay:- tum lord of devil's ko kyu nahi bata dete ki tumhe ye talwar kyu mili hai? isse
saara kissa hi khatam ho jayega

Agrasena:- kaali shakiyon ke maalik ka kutta mujhe batayega ki mujhe kya karna chahiye?
saala ye Agrasena ko kaise maalum pada ki uske saamne jo khada tha uska naam doggy
haii mean doggy se milta julta naam hai par saale ki seerat toh doggi si hi hai Digvijay
Agrasena ki baat sunkar krodhit ho gaya par usne khud ko control kar liya kyu ki usse
Asmodeus ne Agrasena pe attack karne ke liye mana kiya tha iske piche bhi ek kaaran hai
jo kuch hi der me aapko pata chal jayega

Digvijay:- tujhe jo samjhna hai samjh par meri baat pe gour kar teri zindagi bach jayegi

Agrasena:- aur agar naa maana toh kaun lega meri jaan tere jaisa kutta ya iss kutte ka
maalik Asmodeus

Digvijay:- mujhe pata hai ki tu mujhe bhadkana chaahta hai aur iske peeche ki wajah bhi
pata hai par fikr mat kar aisa hoga nahi Agrasena Digvijay ki baat sunkar chonka usse nahi
pata tha ki Asmodeus ko iss bare me bhi pata hoga

Agrasena:- acha toh zara main bhi toh jaanu ki tujhe tere maalik ne kya bataya hai?

Digvijay:- tere paas jo talwar hai wo defensive hai ye tabhi kisi pe hamla kar sakti hai jab
saamne se humla ho tab tak ye bekar hai issliye tu mujhe uksa raha hai kyu ki jab tak main
tujhe pehla waar nahi karunga tab tak tu iss sword ko istemaal me nahi laa sakta itna hi
nahi maine yaha aate hi jo spell bola tha uska asar bhi tu sirf iss sword se hi khatam kar
sakta hai par wo bhi tabhi mumkin hai jab main tujhpe humla karun kyu sahi kahanaa
Digvijay ki baat sunkar Agrasena ke chehre par do expressions ne janm liya

1st:- tension wo issliye ki Agrasena ye jaan gaya tha ki Digvijay uspe humla nahi karega aur
issliye wo Digvijay dwara kiye gaye spell ko kaat nahi sakta

2nd:- raahat wo issliye ki Digvijay ko yaa yun kahu Asmodeus ko sword ke bare me sirf
aadhi hi jaankari hai aur aadhi adhuri jaankaari haani kaarak hoti hai

Agrasena:- sahi kaha tune tere spell ko khatam karne ke liye mujhe iss sword ki zaroorat
hai par tujhe khatam karne ke liye nahi sarvaswa vinasham complete desrtuction
boommm Agrasena ne sword uske miyan me rakhi aur Digvijay ki taraf haath kar iss spell
ko uccharit kiya Digvijay ke upar ek tez white ray padi aur issike saath ek tez dhamaka hua
dhamaka hote dekh Agrasena ke chehre par ek muskaan aa gayi par ye muskaan sirf kuch
hi palon ke liye thi dhamake ki wajah se hue dhuen ke chatte he hi Agrasena ko Digvijay
apni jagah par surakshit khada dikha

Agrasena:- asambhavvv ye sab hua tha Digvijay ke iss planet me aate hi bole gaye pehle
spell ki wajah se chaaya atmanam self shadow iss spell ke uccharit hote hi uchaaran kare
wale ke saamne uski hi ek parchayi ban jati hai jo kisi shield se kam nahi hoti iss parchayi
me kisi bhi ek bade se bade spell ko jhelne ki shakti hoti hai Agrasena dwara bola gaya
spell issi shadow se takraya jise ye shadow toh khatam ho gaya par Digvijay ko bacha gaya
Digvijay:- jiske sar par devil's lord ka haath ho usse maarna itna aasan bhi nahi hai
Agrasena waise bhi mera yaha ka kaam khatam ho gaya hai ab main chalta hun isse pehle
ki Agrasena koi aur spell bole Digvijay gayab ho chuka tha Agrasena thake kadmo se aage
badha aur wo bhi gayab ho gaya

Planet: Earth Place: Secrilla - final day in Secrilla

So students aapka aur hamare saath ka aaj last day hai kyu ki aaj hamare Secrilla forest
ke adventure tour ka aakhri din hai abhi tak maine aapko iss forest ke sabhi exciting jagah
dikha diye hain sivaaye ek ko chhodkar aur wo last jagah hum aaj dekhne wale hain wo
jagah yaha se kuch do km ki doori par hai so lets walk hum sab guide sir ke peeche peeche
ho liye par aaj hamara group saath hokar bhi saath nahi lag raha tha aisa kyu chaliye aapko
batata hun har din ki hi tarah hamare aaj ke din ki bhi shuruat kafi jaldi ho gayi par aaj ka
hamara safar kuch alag tha hamara matlab hamare group ka kal raat ko Shanaya ne jo
bomb foda tha uske baad se hamare group ka santulan thoda sa bigad gaya tha Ronit ne
Shanaya ke proposal ke jawab me Shanaya ko kuch dino ke liye rukne ko kaha tha itna
bada faisla wo yun acahanak toh kar nahi sakta tha Ronit ke jawaab ko sunkar Shanaya ne
bhi bas ok kaha Ronit ne bhale hi Shanaya ko kuch waqt maanga tha par aaj subah se hi
dono saath hi the par inke saath aate hi ek chehra hum sab se hi alag ho gaya aur wo kaun
hoga ye toh aap sab jante hi hain hamari Anjali madam subah se mouh ko fulaaye akeli hi
ghum rahi hai Avantika ne usse iska reason bhi pucha par usne usse taal diya aur jab main
uske paas gaya toh madam ne mujhe itna ghoor kar dekha ki jo dialouge me sochkar gaya
tha ki usse sunaunga wo mere andar hi reh gaya aur main chup chaap kat liya Ronit bhi
Anjali ke paas ek baar jaa chuka tha par Anjali ne usse aisa look diya ki uski fat gayi aur wo
bhi kalti ho gaya khair hum in sab baaton ko side kar guide sir ke peeche peech chal rahe
the kareeb aadhe ghante chalne ke baad hamari aaj ki manzil aa gayi

Guide:- so guys yahi hai wo jagah jo abhi tak humne nahi dekhi thi hai na khubsoorat iss
waqt hum kudrat ke ek karishme ke saamne khade the hamare aankhon ke saamne iss
waqt kudrat ki Godh me bani ek nahi balki do swimming pool the hum sabhi ke mouh se
kudrat ke iss nayab tohfe ko dekhkar wow nikal gaya

Guide:- in me se ek swimming pool ko ek naam diya gaya hai par dusre ko nahi iske bare
me koi janta hai?

Shanaya:- in dono me se jo peeche wala swimming pool hai ussi ko naam diya gaya hai
aur wo naam hai Trance pool nashila pool
Guide:- bilkul sahi aur iska reason ye hai ki iss pehle pool ka paani toh normal hai par iss
dusre pool ka paani nashila hai thek sharab ki tarah par isme sharab ki tarah khaamiyan
nahi hai iska paani sharir ko koi nuksaan nahi pahunchata par haan jo bhi iske paani ko
peeta hai usse sharab ka nasha ho jata hai ye wakayi ek weird baat thi par saath saath
mazedar bhi hum sabne uss trance pool ke kayi saare photos liye fir uske aage jo normal
pool thi usme kud gaye aise hi masti karte hui kab Secrilla ka ye aakhri din guzar gaya pata
hi nahi chala

At Night:

khud se baat karne me jo maza hai wo doston se baat karne me kahan? kyu hum sab
dinner karke har raat ki tarah aaj bhi bonfire ke paas baithe par iss hum shabd me ek
banda actually ek bandi kam thi aur wo thi hamari Anjali madam wo hum sab se kuch door
akeli hi baithi sar ko upar kiye chaand ko ghur rahi thi maine kuch bando ko bheja uske
paas usse bulane par usne sabko bahana bana kar wapas bhej diya issliye aakhir me main
aur Avantika uske paas pahunch gaye meri awaaz sun Anjali ne ek baar huamari taraf
dekha aur fir wapas apna chehra chand ki taraf kar liya

Main:- yaar mujhe bhi toh bata ki jab ek chaand dusre chand ki taraf dekhta hai toh pehle
chaand ko acha lagta hai ya bura

Anjali:- Vj plz yaar mujhe abhi kisi se koi baat nahi karni

Avantika:- mujhse bhi nahi iska matlab tune mujhe dil se apna dost nahi maana haina

Anjali:- aisa kuch nahi hai Avni meri koi bhi feeling kabhi bhi jhuti nahi hoti ye baat Anjali
ne Ronit ki taraf dekhkar kahi thi jo ki Shanaya ke saath baitha hua tha

Main:- chal jhuti teri feelings naa uss paani ki tarah hai jise doodh me milaya jata hai pata
hi nahi chalta ki paani kitna hai aur doodh kitna meri baat sun Anjali meri taraf sawal bhari
aankhon se dekhne lagi

Main:- kuch jasbaat waqt rehte bayaan kar dene chahiye Anju warna unka mol khatam ho
jata hai

Anjali:- par tu hi toh kehta tha na ki jo tumhari khomoshi ko naa samjh sake wo tumahri
baaton ko kabhi nahi samjh sakta

Main:- dosti aur pyar ke taraazu alag alag hote hain Anju unme ek sa wazan daalkar nahi
tola jata nahi samjhi Anjali ne naa me sar hila diya
Main:- samjhata hun school me first period se pehle hamari claas teacher kya karti thi?

Anjali:- attendence leti thi kabhi aisa hua hai ki attendence lene se pehle bhi teacher ne
tujhe dekha hai

Anjali:- haan kayi baar

Main:- toh kya attendence lete waqt wo tera naam skip kar deti thi

Anjali:- nahi

Main:- aur tu yes maam bolti thi ye jante hue bhi ki teacher ko tere claas me hone ka
already pata hai

Anjali:- haan attendence me naam lena aur uska answer dena toh compulsary Anjali bolte
bolte ruk gayi jaise meri baat ka matlab samjh gayi ho

Main:- tune sahi samjha Anju pyar bhi ussi attendence jaisa hi hai pata bhi ho naa ki ye
moujud hai fir bhi mouh se ek baar izhaar karna hi padta hai Anjali ke aankhon se aansu
nikal gaye Avantika ne usse sahara diya

Main:- le paani pee aur kila fateh kar

Anjali:- mujhse nahi hoga Vj aur waise bhi Shanaya usse pyar karti hai agar main un dono
ke beech me aa gayi toh usse kitna bura lagega

Main:- Ronit ne usse abhi tak haan nahi kaha hai kya pata uske dil me kya ho? agar uske
dil me tu hui toh tune aaj tak usse masti me hi baat ki hai uska mazak hi udaya hai aise
me wo tujhse kuch kahe bhi toh kaise? meri baat maan ek baar usse baat karle

Anjali:- mujhse nahi hoga Vj

Main:- chal chhod aur pehle ye rona band kar aur paani pi Anjali ne apne aansu poche
mere haath me paani ki ek bottle thi jo maine Anjali ki taraf badha di Anjali ne paani pi
liya

Anjali:- ye mujhe ajeeb sa kyu lag raha hai? paani peene ke kuch do minute ke baad Anjali
ne bola

Main:- ajeeb matlab

Anjali:- mera sar ghum raha hai aisa lag raha hai jaise mere dimag ki nase khul rahi hain
ek min ye paani kahi saale kutte Vj tune
Main:- sahi samjhi baalike ye paani ussi Trance pool ka hai aur gali nahi thanks bol tujhe
dar lag raha tha naa isse tera dar khatam ho jayega

Anjali:- tu kuch bhi karle main Ronit ko kuch nahi bolungi Anjali ne ye baat ladkhadati
awaaz me kahi thi

Main:- mat bol wo dekh dono kitne cute lag rahe hain saath me Ronit meri baat toh
kaatega nahi soch raha hun jaakar Ronit ki taraf se Shanaya ko haan bol dun ye bolkar
jaise hi maine Ronit ki taraf apne kadam badhaye Anjali ne peeche se mujhe pakad liya

Anjali:- aise kaise haan bol dega tu aur uss saale ko toh main batati hun Anjali mujhe
peeche kar khud ladkhadati hui aage badhne lagi idhar main aur Avantika bhi muskurate
hue uske peeche peeche chal diye

Anjali:- ek minute one minute I waana kuch kehna chahati hun actually Shaifali yesterdays
game true bolne walii wanaa khelna hai mujhe aaj Anjali ki aadhi hindi aadhi english wali
baat sunkar hum sabko hasi aa gayi Shaifali aur Shanaya ne hamari taraf dekha maine
Shaifali ko ishare se haan kaha aur Avantika ne ishare se Shanaya ko apne paas bula liya

Shaifali:- ok then par kal toh sabhi ne apna apna sach bol diya tha bas tumhi bachi thi toh
tumhe jo bolna hai bol do

Anjali:- haani will bolungi sab true true bolungi Anjali dhaam karke Ronit ki side me baith
gayi

Ronit:- araam se yaar tujhe lag jayegi

Anjali:- tohI’ll get hurt naa tujhe usse kya saale childhood me bachpan me tere nose behne
par I used to give tujhe rumaal kyu? kabhi you thought nahi tujhe usse kya your saare
homework who karta tha main kyu? kabhi you thought nahi tujhe usse kya teachers se
for ujust for uwho ladta tha main kyu? kabhi you thought nahi tujhe usse kya jab we gaye
the training me aur jab jab we both ko chot lagti thi toh apni chot ko leave karke your chot
ko who dekhta tha? main kyu? kabhi u thought nahi tujhe usse kya teri little se little baat
chahe kitni hi stupid kyu na ho uspe laugh karte hue who ne tera saath always diya? maine
kyu? kabhi u thought nahi tujhe usse kya Vj ko I ne frndship di par you ko I ne frndship ke
saath saath apna dil bhi diya kabhi u thought nahi tujhe isse kya

Ronit:- pyar

Anjali:- what bola tu


Ronit:- tune pucha na ki mujhe usse kya? toh mujhe pyar hai

Anjali:- kise?

Ronit:- tujhse I luv u Anjali Planet: Earth:

Place: Palamfos

students today iss your last day in Vakazula country mujhe ummid hai ki aapne apne
Secrilla trip ko kafi enjoy kiya hoga dopahar ka waqt hai hum sab aaj subah Secrilla se
wapas Palamfos aane ke liye 7 baje nikal gaye the kal ki raat jo hua wo toh aap sab jante
hi hain aaj pehli baar bus me mere dono dost friend ki tarah nahi balki ek couple ki tarah
baithe the aur iss baat ki khushi un dono se zyada mujhe thi waise aaj subah Anjali ka jab
hangover utra toh usne meri kafi kutayi ki jiske do reason the

1st:- ab maine usse kal nashili paani jo pila di thi

2nd:- aaj hosh me aate hi Anjali sabse pehle Shanaya ke paas gayi thi usse sorry kehne ke
liye ki ye jante hue bhi ki Shanaya Ronit ko paand karti hai usne bhi Ronit ko propose kar
diya Anjali ki baat sun pehle toh Shanaya ne sad hone ka naatak kiya par fir zor zor se
hasne lagi Shanaya ke iss tarah achanak hasne se Anjali kafi shocked ho gayi par fir jab
Shanaya ne usse bataya ki uska Ronit ko propose karna sirf ek plan tha aur ye plan mera
tha taa ki Anjali ko apne pyar ko khud se door hone ka ehsaas ho jaye aur wo Ronit se
apne dil ki baat kar de ab aise me meri kutayi toh banti thi naa khair kuch der tak mujhe
kutne ke baad Anjali ne mujhe gale se laga liya aur issi tarah hamare second chapter ka
ek hissa apni manzil tak pahunch gaya ab chalte hain waapas kahani ki taraf

Guide:- jaisa ki aap jante hai ki iss waqt hum Palamfos me hain jo ki Vakazula ka capital
hai aur Palamfos branded kapdon aur tasty food ke liye jana jata hai aapki flight midnight
12 baje hai hume 9 baje tak airport me check in karna hai tab tak aap Palamfos ghumiye
shopping kijiye yaha ki lazzatdar dishes ko chakhiye in short enjoy yourselves hum sab ne
guide sir ko thanks kaha aur apne apne group ke saath nikal gaye

Avantika:- toh pehle kaha chalen?

Shanaya:- pehle shopping chalte hain

Ronit:- arre yaar tum logon ki shopping agar ek baar shuru ho gayi toh sidhe flight ke time
par hi khatam hogi pehle kuch khaa lete hain
Main:- wahi toh main sochun ki hamara bhookad ne Palamfos jaisi jagah me aakar bhi
abhi tak khaane ki baat kaise nahi ki

Anjali:- arre usse bhook lag rahi hogi naa

Avantika:- oye hoye aaj tak toh jab bhi isne khaane ka naam liya tha toh tune hi isse
bhukkad kehkar chidhaya tha aur aaj tu hi isse suport kar rahi hai lagta hai ishq ka bhukar
sar chadh kar bol raha hai

Anjali:- arre main toh issliye bol rahi thi ki humne pure saath din jungle me adjust karke
khaana khaaya hai aur ab jab hum wapas ek city me hain toh bhook lagna toh obvio hi hai
naa

Main:- aaj tak suna tha aaj dekh bhi liya mohobbat milte hi log aksar dosti bhul jaate hain

Ronit:- chup be ab toh main India pahunchne ke baad hi khaaunga

Main:- ye acha hai ab toh pehle lunch hi karte hain fir sab shopping kar lenge Ronit toh
khaayega nahi uske hissa ka bhi main hi khaa jaunga

Avantika:- toh pehle kisi ache se resturant me chalte hain

Shanaya:- usse acha toh hum mall chalte hain waha lunch bhi ho jayega aur shopping bhi

Main:- haan yahi theek hoga hum sab ne ek taxi rukwaai aur usme baith kar Palamfos ke
sabse bade mall ke liye nikal pade

In Mall:

Shanaya:- excuse me take our order hum sab mall ke 3rd floor par bane restuarant ke
counter par pahunche ye ek self service resturant tha matlab apko apna order khud lekar
aana hota tha

Main:- arre sirf hum charon ka hi order dena Ronit toh khaayega nahi meri baat sunkar
Ronit ka mouh chota sa ho gaya

Anjali:- yaar Vj kyu hamesha uski taang khinchte rehta hai

Main:- bola bola andar ka pyar mouh ke raaste se bola

Anjali:- tu fir shuru ho gaya aisa kuch bhi nahi hai

Main:- acha hamesha tu hi iski taang khinchti thi aur aaj taang khinchna toh door iski
support kar rahi hai
Ronit:- haan toh gf hai meri support toh karegi naa Ronit ne flow flow me bol toh diya par
bolne ke baad khud hi hadbada gaya aur Anjali bechari ke toh gaal sharm se laal ho gaye
the

Avantika:- Vj bas karo yaar

Main:- chalo thek hai order ho gaya

Ronit:- bhai main bhi khaunga Ronit ki baat sunkar hum sab hans diye

Main:- of course khayega saale tujhe bhuka rakhkar hum kaise khaa sakte hai yaar

Ronit:- tu hi toh mera bhai hai yaar ye bolkar Ronit mere gale lag gaya

Shanaya:- guys ye India nahi Palamfos hai yaha yun gale logo ge toh log Anjali ko Ronit ki
gf nahi balki Ronit ko teri gf samjhenge

Ronit:- sochne do saalon ko ab logon ke soch ki wajah se kya main apne bhai ke gale bhi
na lagun

Anjali:- ab agar tum dono ka bharat milap ho gaya ho toh koi couch occupy kare dekho
saare couches bharte jaa rahe hain hum sab ne apna order reciept food court me diya aur
jaakar ek couch par baith gaye abhi hume baithe kuch do minute hi hua tha ki Ronit ka
aur uske just baad mera phone baja ye calls hamare ghar se the maine sabko excuse bola
aur thoda door jaakar baat karne lage hamare jane ke baad

Shanaya:- so lucky girl tujhe apna Mr Perfect aakhir mil hi gaya kyu? Anjali bas Shanaya ki
baat sunkar muskura di

Shanaya:- ek baat puchunpar please bura mat maanana bas ek curiousity hai issliye
puchna chahti hun

Anjali:- Shanayawe are friends now kuch bi puchne ke liye tumhe hichkichane ki zaroorat
nahi hai

Shanaya:- Ronit kyu Vj kyu nahi I mean tum teeno bachpan se friends ho par tumne Ronit
me dilchaspi dikhayi Vj me nahi main ye nahi keh rahi ki Ronit me koi burayi hai infact
Ronit kafi zyada handsome haipar u know Vjjj

Anjali:- main janti hun tum kya kehna chahti ho yahi naa ki Ronit Vj se better nahi hai Vj
India ka brightest student hai hamare college ka sabse handsome ladka hai aur bhi najane
kitni saari khoobi hai usme in sab ko janane ke baawajud maine Ronit ko kyu chuna yahi
naa

Shanaya:- right ab Avantika bhi Anjali ke answer ko sunane ke liye kafi excited ho gayi thi

Anjali:- chaand ko har koi dekh sakta hai Shanaya par usse paane ki takdir sirf chandni hi
apni kismat me likhwa kar laati hai main bhi chand ko dekhne walon me se hi hun jo jo
khubi tumne abhi Vj ki ginwayi naa yahi reason hai ki maine usse nahi chuna wo itna
perfect hai naa ki mere league se bahar hai main Vj ko efford nahi kar sakti wo iss duniya
ki sabse khush kismat ladki hogi jiska haath Vj thaamega ye baat Anjali ne Avantika ki taraf
dekh kar boli thi jise Avantika andar hi andar hadbada gayi thi

Shanaya:- iska matlab kabhi tumne bhi Vj ke liye kuch feel kiya tha

Anjali:- nahi bolungi toh jhoot hoga

Ronit:- mujhse zyada toh mere ghar wale tere waapas aane se excited lag rahe hain abhi
Shanaya kuch kehne hi wali thi ki itne me Ronit apna phone hang up karke lauta Shanaya
ko ek shararat sujhi

Shanaya:- waise kya ye baat Ronit ko pata hai? Shanaya ko laga uske aisa kehne se Anjali
hadbada jayegi par hua ulta Anjali hans di

Ronit:- mujhe kya pata hai?

Anjali:- kuch nahi Shanaya ye puch rahi hai ki mera jo Vj par crush tha uske bare me Ronit
ko kuch pata hai ki nahi Anjali ki baat sunkar Shanaya aur Avantika dono shock ho gaye
hona bhi chahiye naa ek ladki apne bf ke saamne apne purane crush ke bare me itne
aaram se bata de wo bhi tab jab wo crush un dono ka hi best friend ho toh sunne wale ko
jhatka toh lagega hi naa

Ronit:- isme batane wali kaun si baat hai ye baat toh mujhe already pata hai Avantika aur
Shanaya ek shock se ubhre nahi the ki unhe Ronit ki baat sun dusra shock laga

Ronit:- yaar hum teeno bachpan ke dost hain ek dusre ki dil ki choti se choti baat hum
teeno ko pata hoti hai toh itni badi baat mujhe kaise pata nahi chalti

Anjali:- jaise jaise hum bade hone lage mere crush ka bukhaar bhi utarta chala gaya fir ek
aisa time bhi aaya ki mera dil Vj ki perfection se hat kar Ronit ke imperfection ki taraf
jhukne laga aur ye jhukaav kab pyar me badal gaya mujhe pata hi nahi chala

Ronit:- mujhe bhi pata nahi chala ki main kab Anju ko dil se baitha
Vj:- par mujhe pata tha mere charon dost ek dusre se baat karne me itne kho gaye the ki
unhe mere unke paas khade hone ka pata hi nahi chala meri awaaz sun sabki nazar ek
jhatke me meri taraf padi

Ronit:- haan aur isne toh kayi baar mujhe aur Anju dono ko inderctly kaha bhi ki hum apne
dil ki baat bol den par hum the jo iski baat ko taalthe gaye

Shanaya:- par Vj ne tum dono ke hi mouh se sach nikalwa hi diya aakhir friends maanna
padega tum teeno ki frndship ko hats off yaar & thanks ki tumne hum dono ko bhi apna
frnd banaya

Vj:- ab ye emotional talks band karo yaar waise bhi frndship me ye sorry word suit nahi
karta hume me se koi kuch bolta usse pehle hi food counter se awaaz aayi jiska matlab
tha ki hamara order aa chuka tha main aur Ronit apna order lene counter ki taraf chal
pade

Avantika:- hello haan I’m ok abhi main aur Ronit couch se uthkar gaye hi the ki itne me
Avantika ka mobile baja screen par naam dekhkar ek second ke liye Avantika ka chehra
murjha gaya par agle hi pal usne call pick kar liya

Digvijay:- tumse baat nahi hue bas ek hafta hi hua hai par aisa lag raha hai jaise saalon
beet gaye

Avantika:- hmm

Digvijay:- arre kya hua tum kuch bol kyu nahi rahi ho

Avantika:- sabke saath baithi hun naa toh

Digvijay:- arre toh kya hua hum dono couple hain hum romantic baatein nahi kare ge toh
kya wo tumhara dost Vj karega

Avantika:- kehna kya chaahte ho?

Digvijay:- kuch nahi yaar wo toh main bas aise hi Digvijay ko pata chal gaya tha ki usne
flow flow me kuch zyada hi bol diya hai idhar Avantika ka dimag kharab ho gaya tha par
wo sabke saamne kuch kehna nahi chaahti thi

Avantika:- main tumse baad me baad karti hun Avantika ne itna bol bina Digvijay ki koi
baat sune phone kaat diya

Anjali:- kya hua? tere chehre par ghussa


Avantika:- kuch nahi yaar aise hi khaana aa gaya hai abhi Anjali aur kuch kehti usse pehle
hi main aur Ronit lunch lekar aa gaye

Ronit:- arre Avni tumhe kya hua? tumhara chehra utra hua kyu hai

Anjali:- yahi toh maine bhi pucha tha par ye bolti hai kuch nahi hua?

Main:- jab koi insaan dil ke faisle dimag se lene lagetoh aksar aisa hota hai

Anjali:- matlab

Main:- matlab kuch nahi dimag me ye dialouge aaya toh bol diya

Ronit:- tu bhi naakuch bhi chalo bhai khaate hai ab bohat bhook lagi hai baaki sabka
dhayan toh khaane ki taraf ho gaya par Avantika mujhe dekhne lagi kyu ki usse meri baat
ka matlab ache se samjh aa gaya tha

Planet: Earth Place: Digvijays farm house

Digvijay:- agar maine teri saari akad nahi nikal di naa toh mera naam bhi Digvijay nahi abhi
abhi Avantika ne jo bina Digvijay ki puri baat sune phone kaata thaDigvijay ko bohat
ghussa aa raha tha

Digvijay:- saali khud ko kahi ki apsara samjhti hai chune toh deti nahi uske upar aisa
attitude dikhati hai ki khun jal jata hai par akhir kab tak ek baar uske sharir ko bhog lun fir
mere itne dino ke intezar ko uska fal mil jayega phir saali ki aisi haalat karunga ki usse
maut zindagi se asaan lagegi Abbadon Lilitha Abraxas Digvijay ke naam lene ke kuch hi
palon baad teeno devil's Digvijay ke saamne sar jhukaaye prakat hue

Digvijay:- jis waqt ka main itne dino se intezar kar raha thawo aane wala hai kal Avantika
wapas aa jayegi aur parso main apne kaam ko anjaam dunga issi farm house par main
usse maslunga aur apni shakti ko itni badha lunga jise Vikram jaise 100 bhi mere aage kam
pad jayenge ab tum teeno suno ki tumhe kya karna hai purna ojmanam complete power
parso tum teeno ko ek saath yaha ye spell bolna hai Digvijay ne jo spell bola wo sunke
teeno devil's shocked ho gaye kyu ki ye koi chota mota spell nahi tha iss spell ke ucchartit
hote hi uccharan karne wale ki body se uski puri shakti nikal kar ek shield ka roop le leti
thi ek abedhya shield par iss spell ka isse bolne wale par ek aur bhi asar hota tha wo ye ki
isse bolne wale ki haalat ek lakwa kha chuke insaan jaisi ho jati thi spell bolte hi wo banda
apni jagah khade khade gir jata tha aur uski haalat tabhi theek hoti thi jab wo shield
hatatha tha
Digvijay:- main janta hun ki tum teeno kya soch rahe ho par ghabrao mat tumhari
shaktiyon ko main zyada der tak tum teeno se alag nahi rakhunga mere kaam hote hi main
shield hata dunga

Teeno:- jaisa aapko uchit lage

Digvijay:- tum teeno jaa sakte ho teeno waise hi sar jhukaaye gayab ho gaye

Digvijay:- ek din aur jee lo Avantika uske baad toh hahaha

Planet: Shadow World

aahh najane kab tak iss agni ki jalan hume sehni hogi? ye hamare paapon ka parinaam hai
bhugatna toh padega hi aahh samjh nahi aaya na chaliye samjhat hun iss grah ka naam
hai shadow world iss grah me insaan nahi balki parchaiyan rehti hain aisi parchaiyan jo na
toh jeevit hai na mari hui jeeven aur maran ke beech jo jagah hoti haiye uss awastha me
hain iss grah ki abaadi zyada nahi har parchayi ko ginne ke baad iss grah ki kul sankhya sirf
200 hi hai kisi zamane me yah 200 parchaiyan insaan hua karte the par inke saath hue ek
chhal ki wajah se ye sab parchayi me parivartit ho gaye par sirf shadow banna hi inki saza
nahi thi inke mouh se jo aahhh nikal rahi hai ye unke neeche baar baar prajwalit hone
wale aag ki wajah se niklal rahi hai par ye saza na toh inhe God de rahe hain naa hi devil
ye saza inhone khud hi apne liye chuni hai kaise aur kyu ye toh aapko baad me pata
chalega

Parchayi 1:- hume ek baar firse dhayan me baithne ki koshish karni chahiye shayad God
hamari murad sunkar hume mukt kar den

Parchayi 2:- God aisa kyu kare ge? humne unke aadesh ki aawehlna ki hai? aur waise bhi
hamare saath jo ho raha hai wo toh humne swayam khud ke liye chuna hai

Parchayi 1:- par wo hume mukt toh kara sakte hi hain naa

Parchayi 2:- nahi hume iss dand ko bhugatte rehna hoga yahi hamari saza hai yahi hamari
niyati hai

Parchayi 1:- toh kya humne kabhi mukti nahi milegi?

awashya milegi saare parchayi iss waqt ek hi jagah par moujud the aur dono parchaiyon
ke beech ki baat sun rahe the iSs awaaz ko sun sabhi ne saamne dekha aur apne saamne
khade shakhsh ko dekhkar sabhi neeche baith gaye
Parchayi 1:- mujhe apni aankhon par yakin nahi ho raha hamare jaise paapiyon ke beech
swayam Gods mesenger St Sebastian aaye hain

St Sebastian:- aap sab paapi nahi hain aap se bas ek bhool hui thi jiski aap sabne itne
varshon tak bojh uthayen hai

Parchayi 1:- kya aap hume mukt karne aaye hain

St Sebastian:- mujhme itna saamarthya nahi hai saare shadows jo St Sebastian ko dekh
kar khush ho gaye the St Sebastian ki baat sun sabhi firse maayus ho gaye

St Sebastian:- chinta mat kijiye jo aap sab ko iss tadap se aur iss adhure jeeven se mukt
karne wala bohat jald yaha aane wala hai St Sebastian ki baat sun saare shadows ke
murjha chuke chehre ek baar fir se khil gaye

Parchayi 2:- kaun hai wo

St Sebastian:- ye toh aap sab ko unke aane par hi pata chalega abhi ke liye bas itna jaan
lijiye ki ye wahi honge jo aapke bhool ko sudharenge jis shakti ko Asmodeus ne aap sab
se chal kar prapt kiya tha wo usse punah prapt kare ge saari parchayi chonk kar parivartak

Place: Heaven

bahar aayiye God's messengers

Heaven:- ek aisi jagah jahan hamesha ek khubsoorat si roshni rehti hai par iss awaaz ke
aate hi wo roshni najane kaha gaayab ho gayi aur uski jagah pure heaven ke upar ek
andhera chaa gaya teeno God's messengers jo ki iss waqt dhayan ki awastha me baithe
the iss awaaz ko sun un teeno ki aankhen ek jhatke me khul gayi teeno hi ek dusre ki taraf
hairat se dekhne lage teeno ko hi yakin nahi ho raha tha ki aisa bhi ho sakta hai abhi unme
se koi kuch kehta ki tabhi maine kaha bahar aayiye aap teeno main aapki pratiksha kar
raha hun teeno Saints apni jagah par ek jhatke me khade ho gaye

St Cecilia:- kya ye?

St Alfrick:- haan ye wahi hai

St Cecilia:- lekin wo

St Sebastian:- abhi baaton me samay vyarth na kare chaliye chal kar dekhte hain St
Sebastian ne St Cecilia ki baat beech me hi kaati aur apni baat puri kar gayab ho gaye unke
peeche peeche baaki dono Saints bhi gayab ho gaye
aaiye Saints kaise hain aap teeno?

St Sebastian:- tum humse hamara haal janane ke liye toh yaha nahi aaye ho Asmodeus
toh mudde ki baat kare teeno Saints gayab hokar heaven ki sarah par pahunche jahan
Asmodeus khada hua tha waise toh Asmodeus heaven ke sarhad par khada tha par God
ke dwara nikale jane ke baad ye pehli baar tha jab Asmodeus heaven ke aas paas hi kahi
dikha tha

Asmodeus:- hmm mudde ki baat mere 3 sawal hain aap teeno me se har ek liye ek sawal

1st:- Saint Sebastian aapke liye sawal ye hai ki aap shadows world kyu gaye the? aapne
shadows se aisa kya kaha hai jise unke chehre ki rounak lout aayi hai? St Sebastian
Asmodeus ki baat sunkar bilkul bhi nahi chonke wo ye achi tarah jante the ki Asmodeus
ki nazar shadow world ke upar hamesha rehti hai isliye jab wo shadow world gaye the toh
sabse pehle unhone maaya vaakya m magical words spell ka istemaal kiya tha ye wahi
spell hai jiska use hamare hero ne Secrilla adventure ke 5 th day kiya tha aur issi wajah se
Asmodeus ko st Sebastian ke mouh se ya fir shadows ke mouh se nikli koi bhi asli baat ki
jagah St Sebastian jo chaahte the sirf wahi baatein sunayi di thi

St Sebastian:- Asmodeus jab tum ye jante ho ki main shadow world gaya tha toh tumne
meri waha ki hui baat bhi suni hogi fir puch kyu rahe ho?

Asmodeus:- maaya vaakyam issi spell ka istemaal kiya tha aapne kuch bhi bolne se pehle
aap bhul rahe hain St Sebastian ki iss bramhaand ke zyadatar spells mere saamne hi likhe
gaye hain aap mujhse apni kahi gayi baatein toh chupa sakte ho par apne mansube nahi
main janta hun ki aap mujhe kuch nahi batayenge par main aapki tarah chhup kar waar
nahi karunga main aapko yahi batane aaya hun ki aap jitna chaahe zor laga lijiye kintu aap
un shadows ko unki tadap se aur unke adhure jeeven se mukt nahi kara payenge unke
mukt hone ka bas ek hi raasta hai aur wo ye hai ki wo mujhe parivartak ka wo hissa bhi
sounp den jise unhone mujhse chupa diya hai

St Sebastian:- usse chupane ke badle unhone jo kurbaani di hai uska kya? aur unhe mukt
hone se rokega kaun tum tum ye bhool rahe ho Asmodeus ki unhone jo apne deh ka tyag
kar ek shadow ki zindagi jeene ki kurbani di hai uski wajah se ab tum kabhi bhi unke planet
par kadam bhi nahi rakh sakte

Asmodeus:- Asmodeus kabhi kuch bhi nahi bhulta St Sebastian par aap ye bhool rahe hain
ki Asmodeus ko apne kaam ko anjaam dene ke liye khud jane ki zaroorat nahi padti apne
maksad ko uske anjaam tak pahunchane ke liye mere paas aur bhi kayi tarike hain khair
mera dusra sawal St Cecilia se hai

2nd:- toh St Ceciliai chith chakram thought spinner aap kafi samay se iss mantra ka ucharan
kar rahi hain jaan sakta hun kyu?

St Cecilia:- toh isme aapatti kya hai? tumhe bhi pata hai ki tumhare devil's bohat se ache
logon ke dimag me ghuskar unke mann main evil thoughts paida kar rahe hain jo ki
hamare beech hui sandhi kaanoon ke khilaaf hai sandhi kaanoon ke mutabik

Asmodeus:- koi bhi manushya bhagwan aur shaitan ke beech chunne ke liye baadhya nahi
kiya jayega ye uska khud ka vivek hoga jise wo apna faisla khud lega Asmodeus ko aap
niyam kaanoon na sikhayen toh hi behtar hai St Cecilia kyu ki jis bhagwaan ki iss sandhi
me baat hui hai wo tum nahi ho par jis shaitan ki baat hui hai wo main hun aap ye spell
na jane kitni sadiyon se bolti aa rahi ho par kya maine aaj se pehle kabhi bhi aapse iss bare
me baat ki nahi toh fir aaj kyu? wo issliye kyu ki aapke priya Lord of Angel ne apni asliyat
janane ke baad jo apna pehla nirdesh saare angels ko diya tha wo yahi tha ki iss
bramhaand ke un sabhi logon ke dimag se un saari cheezon ko nikal diya jaye jise devil's
ne apni shakti se bhara hai aur jab uske nirdesh anusar saare angels ne ye kaam pehle hi
kar diya hai toh fir aapke iss mantra ko uccharan karne ke piche kya uddeshya hai? main
batata hun ye sab aap issliye kar rahi hain taaki logon ke beech se hamari kaali shaktiyan
kapaap ka asar kam hone lage jise main kamzor padne lagun aur aapke Lord of Angel aur
shaktishaali ho jayen waise toh aisa hoga nahi par fir bhi kyu ki aisa kar aap sandhi tod
rahi hain issliye main aapko pehli aur aakhri baar bata raha hun ki aap aisa karna band kar
den anyatha parinaam bhugatne ke liye bhi tayar rahen Asmodeus ki iss aadhi adhuri
dhamki ko sunkar St Cecilia kafi ghabra gayi kyu ki wo achi tarah janti thi ki Asmodeus jo
kehta hai wo karke hi rehta hai

Asmodeus:- aur teesra aur sabse mahatva purna sawal mera aapse hai St Alfrick

3rd:- Saint Alfrick

St Alfrick:- main janta hun ki tum kya puchna chahte ho Asmodeus yahi naa ki maine ek
Baba ka roop dhar Avantika ko kya diya tha?

Asmodeus:- hamesha shaant rehne wale St Alfrick ka dimag hamesha bolta rehta hai kyu?
mere puchne se pehle hi mera sawal bata diya aapne bohat ache ab lage haathon iska
jawab bhi de dijiye
St Alfrick:- tum kabse itne adhir ho gaye Asmodeus? khair maine Avantika ko kya diya
haiye toh main tumhe nahi bata sakta sahi waqt ka intezar karo sab pata chal jayega

Asmodeus:- hmm waise maine ye baat bas aapse jigyasa purv puchi thi mujhe mere bhai
ke kaam me dakhal dene ka koi irada nahi tha

St Cecilia:- apne aap ko Lord of Angel ka bhai mat kaho Asmodeus wo surya ke samaan
hain aur tum ek grahan ho

Asmodeus:- grahan bhi toh surya ko hi lagta hai St Cecilia koi bhi manushya ye nahi chahta
ki wo kabhi mare par uske paida hote hi uski mout nischit ho jati hai jeeven aur mrityu
sikke ke do pehlu hain bina ek ke dusre ka koi wajood nahi main aur Vikram bhi aise hi
hain agar main nahi toh uska bhi koi wajud nahi khair ye baat aap nahi samjhenge kacha
pakka hi sahi aapne mere sawalon ka jawab toh diya chalta hun ye bolkar Asmodeus gayab
ho gaya

St Cecilia:- ye kab kya kahega kya karga kabhi pata hi nahi chalta

St Sebastian:- andhere ka baadshah hai jiske apne niyam hain ye bol St Sebastian gayab
ho gaye aur unke saath saath baaki ke dono Saints bhi

Planet: Earth Place: Digvijays bedroom

kaise ho Digvijay? subah ka waqt hai Digvijay Avantika ke ghar jane ke liye ready ho raha
tha iss waqt wo dressing table ke saamne khada baal sawaar hi raha tha ki uske peeche
se ye awaaz aayi Digvijay awaaz sun jaise hi peeche paltaapne saamne khade shaksh ko
dekhkar shocked bhi hua aur saath hi khush bhi

Digvijay:- Nishkalika what a pleasant surprise aaj hamare ghar ka actually hamare planet
ka rasta kaise bhul gayi aap

Nishkalika:- aise hi tumhari yaad aayi toh chali aayi Digvijay Nishkalika ki baat sunkar hans
diya

Digvijay:- ab kamse kam mujhse toh jhoot mat bolo yaar ye yaad karna khayal rakhna
apna pan in short ye jo feelings hai naa usne toh kab ka hamare andar hi dum tod diya hai

Nishkalika:- fir tum kaise ek ladki se sambandh bana baithe?

Digvijay:- tum mujhpar nazar rakh rahi ho Nishkalika ye sahi nahi hai Nishkalika ki baat
sun Digvijay ko thoda ghussa aa gaya tha
Nishkalika:- tum galat soch rahe ho Digvijay ye baat mujhe kal hi pata chali hai Nishkalika
ki baat sunkar Digvijay ka ghussa shant ho gaya

Digvijay:- par kaise? aur tumne ab tak ye bhi nahi bataya ki tum yaha kaise?

Nishkalika:- pehle tum mere prashn ka uttar do tumne uss ladki se sambandh kyu banaya
hai?

Digvijay:- isse tumhe koi matlab nahi hona chahiye Nishkalika aur bhool kar bhi mere
andar jhankne ki koshish mat karna warnaa

Nishkalika:- tum baat baat par naraz kyu ho rahe ho Digvijay nahi batana hai toh mat
batao

Digvijay:- tumne bataya nahi ki tum yaha kaise?

Nishkalika:- waise toh tumhe bhi mujhse kuch bhi puchne ka hak nahi aur tumhara
rawaiya dekhkar mera mann bhi nahi hai ki main tumhe apne aane ka kaaran bataun par
kyu ki baat tumse judi hai isliye bata deti hun kal raat mujhe ek swapn aaya jisme tumhare
sharir se bohat adhik maatra me khoon nikal raha tha aur tum thek bhi nahi ho paa rahe
the

Digvijay:- ye tumhara swapn hi hai ya fir tumhari khwahish hai

Nishkalika:- tum kehna kya chahte ho?

Digvijay:- zaahir si baat hai un diamonds ne hum dono ko hi ek si taakatein di thi ab agar
main mar jaaun ya mera sharir bekar ho jaye toh isse sabse zyada faayda tumhe hi hai naa

Nishkalika:- tumhari shaktiyan toh badh gayi hain Digvijay kintu dimag ab bhi kam hi hai
agar tumhare ahit ko main apna faayda samjhti toh ye saari baatien batane apne grah se
itni door tumhare paas kyu aati? Digvijay jo ki ab tak Nishkalika aur uski baaton ko lightly
le raha tha Nishkalika ke iss tark ko sun serious ho gaya

Digvijay:- kya tumne ye nahi dekha ki mujhe chot kisne pahunchayi thi

Nishkalika:- nahi mere swapn ke tutathe hi maine dhayan awastha me apni saari shakti
ko jagakar bhi tumhe chot pahunchane wale ko dekhne ki koshish ki par main asamarth
rahi

Digvijay:- aur sirf mujhe apne swapn ke bare me batane tum itni door aa gayi kyu?

Nishkalika:- matlab?
Digvijay:- agar tum chahti toh ye baatein mere dimag se sampark karke bhi mujhe bata
sakti thi iske liye tumhe mere saamne aane ki zaroorat nahi thi

Nishkalika:- ab ki naa tumne buddhi maano wali baat haan ye sach hai ki main sirf tumhe
ye sab batane ke liye itni door nahi aayi hun darasal mujhe tumhe ye dena tha Nishkalika
ne apne haath aage kar diye uske hatheli par ek tez roshni chamki aur jab wo roshni ghati
toh Nishkalika ke haathon me kaale motiyon se piroya gaya ek dhaaga tha

Digvijay:- ye kya hai?

Nishkalika:- shakti bandhak isse tumhari shaktiyan bade se bade dushman ke saamne bhi
surakhsit rahengi

Digvijay:- arre waah ye bolkar Digvijay ne Nishkalika ke haathon se wo dhaaga le liya

Nishkalika:- isse apne dahine haath me pehen lo Digvijay ne jaise hi uss dhaage ko apne
right hand me pehna wo dhaaga gayab ho gaya

Digvijay:- arre ye kaha gaya?

Nishkalika:- jis jagah par dhaaga tha waha chu kar dekho Digvijay ne jaise hi dhaage wale
jagah ko chukar dekha wo shocked ho gaya kyu ki dhaaga ab bhi wahi tha

Digvijay:- dhaaga toh mere kalai me hi hai par fir dikh kyu nahi raha?

Nishkalika:- taaki tumhare shatru ko ye abhaas na ho ki tumne isse pehen rakha hai warna
wo isse nikal bhi sakta hain

Digvijay:- mere haathon se kuch bhi nikalne ki himmat kisiki nahi hai fir bhi ye tarkeeb
mujhe achi lagi aur Nishkalika mere kathor rawaiye ke liye main tumse maafi chahta hun

Nishkalika:- koi baat nahi Digvijay mujhe tumhari baat buri nahi lagi achaab main chalti
hun

Digvijay:- mujhe bhi abhi kahi nikalna hai warna main tumhe zaroor rokta

Nishkalika:- koi baat nahi Digvijay mujhe bhi abhi kuch mahatwapurn kaam hai toh main
chalti hun ye kehkar Nishkalika gayab ho gayi

Digvijay:- aaj ke din ki shuruat me hi mujhe ek nayi shakti mil gayi lagta hai taqdir bhi mere
saath hi hai jis chiz ko paane ke liye itne dino tak intezar kiya ab uski baari hai Avantika
main aa raha hun Digvijay bhi muskurata hua ghar se bahar aaya aur garage se car nikalkar
Avantika ke ghar ki taraf nikal gaya
Planet: Gluto Place: Nishkalika's palace

bohat ache Nishkalika tumne krodh se nahi vivek se kaam liya Nishkalika abhi abhi Digvijay
ke paas se louti thi wo iss waqt apne singhasan me baithi kuch soch muskura rahi thi ki
tabhi ye awaaz aayi par Nishkalika iss awaaz ko sunkar bilkul bhi nahi chonki chonkti bhi
kyu issi awaaz ke aadesh anusar hi toh Nishkalika Digvijay ke saamne gayi thi Nishkalika
singhasan se utar ghutno ke bal sar jhukar baith gayi

Nishkalika:- main apke aadhesh ki awahelna kaise kar sakti hun devil's lord ab mere liye
kya aadesh hai?

Asmodeus:- (ki awaaz) kuch nahi ab bas apne puraskar ke milne ka intezar karo iske baad
Asmodeus ki awaaz aana band ho gayi Nishkalika wapas muskurate hue uthi aur apne
singhasan par jaakar baith gayi ab aap sab soch rahe honge ki ye sab hai kya? toh chaliye
janane ke liye thoda peeche chalte hain

Small flashback:

subah ka waqt hai Nishkalika apne mehel ke peeche bane garden me dhayan awashta me
baithi hui hai ki tabhi uske kaano me ye awaaz gunji waise toh Nishkalika jab bhi dhayan
awastha me baithi ho aur uss waqt agar uske kaano me kisiki awaaz bhi pad jaye toh wo
uss insaan ko mrityu dand de deti hai par abhi abhi jo awaaz Nishkalika ke kaano me padi
thi usse sunkar Nishkalika apne paalthi aasan ko chhod apne ghutno par aa gayi

Nishkalika:- lord of devil's ko Nishkalika ka abhinandan

Asmodeus:- (voice) kya tum aur shakti shaali hona chahti ho?

Nishkalika:- ji zaroor maha mahim

Asmodeus:- (voice) toh tumhe aaj ek kaam karna hoga

Nishkalika:- hukam dijiye maha mahim tabhi Nishkalika ke saamne hawa me hi shakti
bandhak dhaaga aa gaya

Asmodeus:- (voice) isse shakti bandhak dhaaga kehte hain tumhe isse jaakar Digvijay ko
kisi bahane se pehanana hai

Nishkalika:- jaisa aap kahe maha mahim par kya main?

Asmodeus:- (voice) tum bas itna jaan lo ki iss dhaage ki madad se Digvijay dwara prapt ki
gayi shaktiyan aaj shaam tak tumhari ho jayengi Nishkalika Asmodeus ki baat sunkar
bohat khush ho gayi usme Asmodeus se apne jane ki permission maangi aur pahunch gayi
Digvijay ke paas

Flash back ends:

Planet: Earth Place: Ahuja's mansion

namaste aunty how r u? ye awaaz aur kisi ki nahi hamare doggy I mean hamare Diggy bhai
sahab ki hai Digvijay jaise hi hall me ghusa toh uski nazar Avantika ke mom par gayi jo
saamne sofe par baithi hui thi

A/Mom:- namaste beta kaise ho? aur tumhari mom kaisi hain?

Digvijay:- mom thek hain aunty aunty Avni

A/Mom:- Avni apne room me hai

Digvijay:- oh thanks aunty ye bolkar Digvijay stairs pe chalte hue Avantika ke room ki taraf
chal diya

Digvijay:- kiske khayalon me khoyi hui hain madam Digvijay jaise hi Avantika ke room ke
saamne pahuncha toh usne dekha ki room khula hua hai aur Avantika bed par sidhi leti
upar ki taraf dekh kuch soch rahi hai Digvijay ki awaaz sun Avantika apne soch ki duniya
se bahar aayi aur jaise hi uski nazar Digvijay ke upar gayi Avantika ek jahtke me uthkar
baith gayi

Avantika:- tum yaha

Digvijay:- ab kya karta aap toh hamara phone uthati hi nahi hain toh mujhe hi aana pada
Avantika ne ek gehri saans chhodi aur phir boli

Avantika:- Digvijay main tumse kuch kehna chahti hun Digvijay Avantika ki baat sun
chonka kyu ki relationship me aane ke baad ye first time tha jab Avantika ne Diggi ki jagah
usse Digvijay kaha tha

Digvijay:- haan bolo

Avantika:- its over Digvijay ab hum dono relationship me nahi reh sakte Avantika ki baat
sunkar Digvijay ka dimag ghum gaya uska mann kiya ki abhi Avantika ka gala daba de par
usne khudko control me rakhkar kaha

Digvijay:- kya main iski wajah jaan sakta hun Avantika Digvijay ke yun normal behaviour
ko dekh kar kafi shocked hui
Avantika:- tumhare saath relationship me aane ka faisla mere dimag ne kiya tha dil ne
nahi par ab mujhe samjh me aa gaya hai ki dil ke faislon ko dimag se nahi liya jata

Digvijay:- koi baat nahi Avni par hum friends toh reh hi sakte hain naa

Avantika:- of course yaar ye bhi koi kehne ki baat hai ek taraf Avantika khush ho rahi thi
ki ye matter itni aasani se nipat gaya wahi dusri taraf Digvijay ne apne dimag ke ghode
doudane shuru kar diye the wo kisi bhi haalat me aaj apne kaam ko anjaam tak
pahunchana chahta tha sochte sochte achanak Digvijay ke dimag ki batti jali usne turant
apne mann main ek mantra bola aur agle hi pal Digvijay ke mobile ki ghanti baji

Digvijay:- hello haan mom arre nahi mom par dekhta hun bye Digvijay ne call disconnect
kiya uska chehra utra hua tha

Avantika:- kya hua Digvijay tum itne sad kyu ho gaye? kya kaha aunty ne?

Digvijay:- wo darasal mom ki tabiyat thek nahi hai aur wo tumse milna chahti hain maine
mana kiya toh naraz ho gayin

Avantika:- toh tumne mana kiya hi kyu arre yaar aunty ki tabiyat kharab hai aise me agar
wo mujhse milna chahti hai toh main toh unse milungi hi naa

Digvijay:- sach tum mere saath chalogi mom se milne

Avantika:- of course yaar what are frndz for than? chalo chalte hain Avantika neeche aayi
apne mom se permission li aur Digvijay ke saath nikal padi iss baat se anjaan ki ye sab
Digvijay ki chaal thi usse paane ki

Digvijay's farm house:

Digvijay aa gaye hain ab hume apna kaam kar dena chahiye Abraxas Lilitha aur Abbadon
farm house ke paas hi khade the jaise hi Digvijay ki car farmhouse me enter hui Abbadon
ne apni baat baaki dono devil's se kahi

Lilitha:- chalo fir der kis baat ki sabne ek dusre ke haath thaam liye purna ojmanam teeno
ne ek saath iss mantra ka uccharan kiya teeno ke pure sharir se unki shakti nikal
farmhouse ko charo taraf se gherne lagi aur kuch hi palon me pura farm house ek abhedya
shield se ghir gaya wahi dusri taraf iss baat ki bhanak Digvijay ko bhi lag gayi thi uske
chehre par bhi ek vijayi muskaan aa gayi

Digvijay:- ab tu kuch bhi nahi kar sakega Vikram ab Avantika ko mujhse koi bhi nahi bacha
sakta
Avantika:- kaha kho gaye Digvijay? aur aunty kis room me hain?

Digvijay:- andar chalo sab pata chal jayega Digvijay andar ki taraf badh gaya Avantika ko
Digvijay ke bolne ka tone kuch alag laga par usne zyada dhayan nahi diya aur Digvijay ke
peeche peeche chal di

Avantika:- waise aaj koi noukar bhi nahi dikh raha hai? kaha gaye sab? ab tak Avantika aur
Digvijay hall me aa gaye the

Digvijay:- chaahta toh main bhi tha ki sabke saamne tujhe nangi karun par majboor hun
sabko apna asli chehra bhi toh nahi dikha sakta naa Digvijay ki baat sun Avantika ko ek zor
ka jhatka laga usne jo suna uspe usse yakin hi nahi ho raha tha

Avantika:- ye kya bakwaas kar rahe ho Digvijay? Avantika ne chillakar apni baat kahi

Digvijay:- shhh dheere baat kar kahi mera dimag ghum gaya naa toh tere baad tere pure
pariwar ko nanga kar beech baazar me ghumaunga aahhh ye dard bhari awaaz Avantika
ke mouh se nikli thi hua ye ki Digvijay ki baat sunkar Avantika ko ghussa aa gaya usne aage
badhkar Digvijay ko thappad maarna chaha par Digvijay ne uske haath ko beech me hi
pakad liya aur Avantika ke haath ko ek jhatka diya jise Avantika ke mouh se dard bhari aah
nikal gayi aur wo paas hi ke sofe par jaakar giri

Digvijay:- ye kaise hua? Digvijay ne apne haath ko dekhte hue ye sawal khudse pucha
darasal hua ye ki apne jis hatheli se Digvijay ne Avantika ke haath ko pakad kar jhatka diya
tha uss hatheli par laal nishaan ban gaya tha par Digvijay ne iss baat par zyada dhayan
nahi diya

Avantika:- maine tumhara kya bigada hai? tum kyu mere saath aisa kar rahe ho?

Digvijay:- chal tujhe bata deta hun waise bhi aaj ke baad tu mouh kholne ke layak toh
rahegi nahi issliye tujhe kuch batane me koi burayi nahi hai maine tujhse kabhi bhi pyaar
nahi kiya tha wo gunde yaad hain jinho ne tere saath London me badtamizi ki thi wo maine
hi bheje the fir unhe peet kar main tera hero ban gaya tha Digvijay ki baat sun Avantika
shocked hoi gayi

Avantika:- par ye sab kyu?

Digvijay:- batata hun batata hun tujhe jaankar taajub hoga shayad tu vishwas bhi naa kare
ki tu sirf ek insaan nahi hai balki ek shakti kunj hai tere andar defensive energy ka
unlimited supply hai aur mujhe wahi chahiye Digvijay ki baat sunkar Avantika ke hosh ud
gaye apne asli pita se mil Avantika ko apne purvjanm ke bare me sab kuch pata chal gaya
tha uske liye chamatkarik baatein koi nayi chhez nahi thi par Digvijay ki baat aur apni ek
nayi asliyat sun uska dimag chakra zaroor gaya tha Avantika ye bhi samjh gayi thi ki
Digvijay koi aam insaan nahi hai usme bhi chamatkaarik shaktiyan hain

Avantika:- dekho aage mat badho aur tumhe koi galat fehmi hui hai main koi shakti kunj
nahi hun Digvijay dheere dheere chalte hue Avantika ke paas jaa raha tha jise dekhkar
Avantika bhi door hat rahi thi tabhi Digvijay ne apni magic speed ka use kiya aur ek jhatke
me wo Avantika ke saamne tha Digvijay ne Avantika ke dono baaju zor se pakad liye taaki
wo bhaag na jaye

Digvijay:- Digvijay kabhi galat nahi hota ladki maine jo bola tu wahi hai aur pata hai teri
asli badkismati kya hai? kisi bhi aise shaksh se jiske paas tere jaisi shakti rehti hai usse
paane ka ek hi tarika hai sambhog kyu ki yahi ek aisa kaarya hai jise do sharir ek ho jaate
hain aur shakti bahar nikal aati hai ye bolkar Digvijay ne Avantika ko uske peeche pade
sofe ki taraf dhakka de diya Avantika dhaam ki awaaz ke saath sofe par giri Avantika ko
apna anth dikhne laga tha apni aankhen band kar usne upar wale ka naam japna shuru
kar diya Digvijay ne apne kadam uski taraf badha diye the ki tabhi Avantika ka sharir thar
thar kaampne laga Digvijay ko toh ye bas Avantika ka dar hi lag raha tha par agle hi pal

Digvijay:- ye kya ho raha hai? darasal Avantika ka sharir jo ab tak kaamp raha tha ab usse
jhatke lagne lage maano usse koi zor se jhanjhod raha hai aur agle hi pal Digvijay ki aakhen
hairat se failti chali gayi hua ye ki Avantika ke sar se lekar pair tak se ek laal parat bahar
nikalne lagi kuch hi palon me wo parat Avantika ke sharir se puri tarah se nikal kar bahar
aa gayi aur Digvijay ke saamne ek maanav aakruti ka shape lekar khadi ho gayi wahi sofe
par padi Avantika behosh ho chuki thi tumne do baatein kahi Digvijay tumhari dono
baatein adhura sach hai dusri baat se shuru karte hain kisi ki shakti ko paane ka zariya
maatra sambhog nahi hai sacha prem bhi hai jise tum jaisa devil nahi samjh sakta aur pehli
baat ye ki Avantika shakti punj hai haan ye sach hai par jaisa ki maine kaha adhura sach
Avantika sirf ek shakti punj nahi ek chaabi bhi hai chaabi wali baat sunkar Digvijay chonka
zaroor par jo aawaaz uss laal parat ki aakruti se aa rahi thi uss awaaz ko sunkar uska dimag
ghum gaya tha

Digvijay:- kauunn ho tum? Digvijay ke sawal puchte hi uss laal parat ke maanav aakriti me
ek baar fir se parivartan aane lage aur kuch hi palon me wo aakriti ek insaan me badal
gayi aur jo insaan iss waqt Digvijay ke saamne khada tha usse dekhkar toh Digvijay ko
khade khade hi lakwa sa maar gaya tha

Digvijay:- Vikkrraamm Digvijay ne badi mushkil se haklate haklate mera naam liya
Main:- acha lagta hai jab tum jaise paapiyon ki zubaan ladkhadati hai toh bohat acha lagta
hai

Digvijay:- kaise? mera matlab ye asambhav hai? mere devils ne toh

Main:- purna ojmanam mantra se pure ilaake ko dhak diya tha yahi naa? Digvijay meri
baat sunkar firse shocked ho gaya

Main:- wo mantra bahar se andar aane wale ko rokta hai andar se bahar jane wale ko nahi

Digvijay:- par tum andar kab aaye?

Main:- main farm house ke andar nahi Avantika ke andar tha meri baat sun Digvijay ka
dimag ek baar fir se ghum gaya

Main:- samjhata hun sab samjhata hun waise bhi aaj tumhare zindagi ka aakhri din hai aur
main nahi chaahta ki tum koi sawal ko apne mann main daba kar maro mujhe maalum
tha ki tum Avantika ke kareeb kisi galat maksad ki wajah se aaye ho issliye aaj se teen
hafte pehle maine Avantika ko kisi zariye se apna rakht churn diya tha

Digvijay:- rakht churna?

Main:- mere khoon se banaya gaya ek kism ka powder swayam parivahana self
transportation wo spell jiske zariye iss rakht churna ke andar khudko samaya jaa sakta hai
aur iss tarah main tumhare saamne hun Digvijay jiska pehle se hi dimag puri tarah se out
ho chuka tha Vikram ki baat sunkar pura gayab hi ho gaya

Digvijay:- bas bohat hua maha mahim ne mujhe tujhse aamne saamne ji ladhayi karne se
mana kiya thapar ab koi aur chaara nahi bacha hai aaj main tujhe maarunga toh zaroor
par abhi nahikuch der baad pehle main tujhe harakar tera ghamand todunga fir tujhe
baandhkar tere hi saamne avvv Digvijay ke mouh se Avantika pura nikalne se pehle hi uske
honth chipak gaye wo bas avvv karke bolne laga

Digvijay ne bandhan muktam ke jitne bhi spells aate the wo sab try kiye par uske honth
sile hi rahe wo aankhen faade Vikram ki taraf dekhne laga

Main:- tujhe lagta hai tu bohat taakatwar hai kyu? maine apne haath aage kiye Digvijay
ke honth khul gaye

Digvijay:- kaun ho tum? Digvijay ke chehre me iss waqt zamane bhar ka shock tha

Main:- main tujhe zaroor batataagar tune meri Avantika ke bare me galat nahi socha hota
Digvijay:- meri Avantika

Main:- maine kahanaa tu ne jo kiya agar wo na kiya hota toh main tujhe sab kuch batata
baatein bohat hui aakhri baar apne aap ko jeevit logon me mehsoos kar le maine ek baar
aur haath aage kiye aur ek baar fir Digvijay ki aankhen hairat se fail gayi Digvijay ke aakhon
ke saamne hawa me hi ek parda ban gaya jisme usne aajtak jo bhi kiya hai wo sab ghumne
laga yaha tak ki wo cheezen bhi jise usne mujhse chupaane ki koshish ki thi sab kuch dikh
jane ke baad wo parda gayab ho gaya ab Digvijay ke paas kuch bhi bolne ke liye bacha
nahi tha

Main:- teri itni aukat nahi hai Digvijay jo tu mujhe andhere me rakh sake ab Digvijay ke
paas siwaay mujhse ladne ke aur koi chaara nahi tha

Digvijay:- agnivaayujal samveshwam fire air water mixture Digvijay ne apne aankh band
kar iss spell ka uccharan kiya agle hi pal Digvijay ke haathon me paani hawa aur aag ke
gole ke dusre ke saath milne lage jab saare shaktiyon ne milkar ek nayi mishrit shakti ke
bade se gole ko janm diya toh Digvijay ne uss gole ko meri taraf fek diya par main apni
jagah par khada raha aur agle hi pal jo hua usse dekh Digvijay apne ghutno par aa gaya
hua ye ki wo gola mere seene ki taraf aage badha tha par wo gola mere seene se takraya
nahi balki mere seene se hote hue mere andar chala gaya maine apne haath aage kiye
agle hi pal mere haathon me wahi Digvijay ke dwara chhoda gaya gola aa gaya jise dekhkar
Digvijay samjh gaya ki wo mera kuch nahi bigad sakta aur wo neeche gir gaya

Main:- alvida Digvijay maine uss gole ko wapas Digvijay ki taraf fek diya mere gola fekte
hi do haath ek saath aage hue pehla haath Digvijay ka tha jise wo uss gole ko rokne ki
koshish kar raha tha aur dusra haath mera tha jiske aage hote hi uss gole ki shakti 10 guna
tak badh gayi aur booommm wo gola sidhe jaakar Digvijay ke ussi haath se takraya jise
wo usse rokne ki koshish kar raha tha aur issi ke saath ek tez dhamaka hua maine pure
farmhouse ko apne dimag ke tarango se safe kar diya tha isiye uss blast ka uss hall pe
jahan hum khade the koi fark nahi pada par Digvijay ke saath aisa kuch nahi hua uska
saara sharir chote chote tukdon me bat gaya tha aur idhar udhar bikhra pada tha par jaisa
ki mujhe purv anuman tha uske body parts wapas ek dusre ki taraf judne ke liye aane lage
maine apne dono haath aage kiya jal prakatam deha viliyate body melt mere ek haath me
ek laal roshni prakat hui aur dusre haath me paani maine dono ko milaya aur haath aage
kar diye paani ke samagam se mili laal roshni Digvijay ke body parts par padi ye wahi paani
thi doston jo Secrilla ke uss nashili pool me payi jati hai ye pani insaano ke liye nashili hai
par devils ke liye ye kisi tezab se kam nahi hai wahi dekhte hi dekhte Digvijay ke body
parts jud gaye

Digvijay:- hahaha tujhe kya laga ki mujhe maarna itna aasan hai main arre ye ye kya ho
raha hai mera shariaaa chheerraa nahiii Digvijay ne apni baat shuru hi ki thi uska sharir
galne laga ye ussi spell ki wajah se hua tha jo maine kaha tha jaise jaise uska sharir gal
raha tha dhua bankar gayab hota jaa raha tha Digvijay ko samjh aa gaya tha ki ab wo nahi
bach payega shaktiyem parinati iss mantra ko Digvijay ne bola nahi budbudaya tha
Digvijay ke andar se ek kaali roshni nikli aur kahi chali gayi

Digvijay:- tunee mujhe haraa zarroor diiyaaa haiii Viikkkraamm parr yee juuggg aabhhi
khhaattm nahhhii huii ye baatein Digvijay ne apni bachi hui saari shakti samet kar kahi thi
par aakhri word bolne ke baad uska bacha chehra bhi gal gaya air dhua ban gayab bhi ho
gaya Digvijay toh gal gaya par uske haath me bandha kaala dhaaga waise hi adrishya
haalat me hawa me hi kuch der ruka raha fir gayab ho Nishkalika ke paas pahunch gaya
jab Digvijay ka sharir gal raha tha tab uss dhaage ne Digvijay ke sharir me base un
diamonds ki shakti ko apne andar sokh liya tha aur ab wo taakat Nishkalika ki milkiyat thi
maine Avantika ko apni godh me uthaya iss behoshi ki haalat me bhi bala ki khubsoorat
lag rahi thi wo main kuch der tak usse yunhi niharta raha fir gayab ho sidhe uske bedroom
me pahuncha maine usse uske bed par leta diya

Main:- tu meri ho ya naa ho teri hifazat meri zimmedari hai aur hamesha rahegi kuch der
uske noorani chehra ka didar kar main gayab ho gaya adbhudhh mere bhai apne raaj
gaadhi par baitha Asmodeus jo Vikram aur Digvijay ke beech ki ladhayi dekh raha tha
Digvijay ke anth ko dekhkar uske mouh se ye shabd nikle wahi dusri taraf Digvijay ke andar
se jo kaali roshni nikli thi wo apne manzil tak pahunch gayi aur tabhi do aankhen ek jhatke
me khul gayi un aankhon se kuch der tak aansu bahe par fir unhi aakhon me base dard ne
ghusse ka roop le liya Vikramm tera kaal laut aaya hai kuch din aur jee le kyu ki uske baad
teri maut bankar tere saamne khada hoga Madoxxx

Planet: Monslickel Place: Asmodeus palace

tum sab kabse itne nikamme ho gaye buddhi naam ki bhi ek cheez hoti hai kabhi toh uska
istemaal kar liya karo iss waqt Asmodeus ke saamne uske teeno pramukh devil's sar
jhukayee khade the jaisa ki aap sab jante hain ki apne hi mantron ke prabhav se kal in
teeno ki body paralytic condition me aa gayi thi Vikram ke jane ke baad Asmodeus ne inke
mantra ko nish prabhav kar diya tha thek hone par teeno ko pata chal gaya ki Digvijay ke
saath kya hua hai teeno apni apni soch me gum ye soch hi rahe the ki aage kya kare ki
tabhi teeno ke kaan me Asmodeus ki awaaz gunji Asmodeus ne unhe Digvijay ka ek clone
banakar farmhouse ko blast kar dene ka hukm diya teeno ne Asmodeus ke aadesh anusar
Digvijay ka clone banakar farm house ko uda diya aur gayab ho gaye aur aaj Asmodeus ne
teeno ko yaad kiya jiski wajah se teeno Asmodeus ke saamne khade hain

Abbadon:- maha mahim humne toh wahi kiya jo master ne humse karne ko kaha tha

Asmodeus:- kya tumne Digvijay ke yojna me apni koi pratikriya di thi nahi tumhara saamna
ek baar Vikram se ho chuka hai naa Secrilla me kya tumne uski taakat ka namuna nahi
dekha tha tumne ek baar bhi nahi socha ki agar Digvijay ki yojna asafal hui toh tum uski
madad kar sakte ho tum teeno hi mere sena ke pramukh sena naayak ho tumhare kiye
gaye spell ko bahar se todna bohat mushkil tha par andar se toh usse araam se toda jaa
sakta tha tum agar chaahte toh kisi bhi devil ko apne saath le jaa sakte the aur zaroori
stithi me tum usse apne spell ko andar se todne ka aadesh de sakte the par aisa karna toh
door tumne iss bare me socha tak nahi teeno devil's jo ki sar jhukayee khade the unhe
apni galti ka ehsaas ho gaya unhe pata tha ki Asmodeus ki kahi gayi har baat sahi hai
unhone murkhta kar di thi

Asmodeus:- sar jhukar apni galti ko maan lena hi kafi nahi hota usse sikhkar galti na
dohrana hi asli paschatap hai ye tumhare dwara ki gayi akhri galti thi agar dobara kabhi
bhi aisa hua toh wo tumhare jeevan ka antim pal hoga teeno devils ye baat achi tarike se
jante the ki Asmodeus ki kahi hui baat pathar par kheenchi gayi lakir ke jaisi hai ye jante
hue bhi ki Valefor aur Digvijay ke baad Asmodeus ke paas powerful devil's bas ginti bhar
ke hi bache hain Asmodeus unki agli galti par unhe maarne ke liye ek pal ke liye bhi nahi
sochega

Asmodeus:- tum teeno sahi soch rahe ho Asmodeus ne tumhara nirman apni sahuliyat ke
liye kiya hai teeno chonk gaye teeno devil's ye bhul gaye the ki Asmodeus unke mann ki
har baat padh leta hai agar iss sahuliyat me khalal padi toh tumhe zinda rakhne ka kya
faayda khair maine tumhe yaha kuch kaam se bulaya hai

Abbadon:- aadesh den maha mahim

Asmodeus:- purna ojmanam tum teeno ko iss mantra ka prayog ek baar aur karna hoga
Asmodeus ki baat sunkar teeno devil's ek baar fir chonke par unme se kisime bhi
Asmodeus se kuch puchne ki himmat nahi thi

Asmodeus:- main tumhe ek grah ke sarhad par bhej raha hun tum teeno ko ussi jagah par
iss mantra ko uchharit karna hai mere paas aao teeno devil's Asmodeus ki taraf chal pade
na jane kitne hazaron saalon se ye teeno Asmodeus ko dekhte aa rahe hain par aaj ye
pehla awasar tha jab Asmodeus ne unhe apne karib bulaya tha teeno apni kam kampati
taango ko shtir karne ki koshish karte hue Asmodeus ke kareeb pahunch gaye Asmodeus
ne baari baari teeno ke sar par haath rakha aur spell budbudaya garaham maarg gachati
paath to the right planet teeno devils ek ke baad ek gayab hokar pahunche Asmodeus ki
tay kiye gaye jagah par

Lilitha:- arre ye hum kaha aa gaye maha mahim ne toh hume kisi grah ke sarhad par bheja
tha naapar hum toh khaali antariksh me hain Lilitha apni jagah par sahi thi iss waqt teeno
devils antariksh ke kaale saaye ke beech khade the

Asmodeus:- tumhe kya dikh raha hai aur kya nahi ye batane ke liye waha nahi bheja gaya
hai jo kaam diya gaya hai wo karo teeno devils's ke kaano me jaise hi Asmodeus ki awaaz
gunji teeno seher uthe teeno ne ek dusre ke haathon ko thaama aur spell dohraya purna
ojmanam aur jaisa ki kal hua tha waisa hi kuch aaj bhi hua par iss baar jo roshni kawach
ke roop me teeno ke body se nikliuska daayra bohat bada tha akhir ek planet ko jo gher
raha tha kuch 5 minute ke andar hi teeno devils ke sharir ki saari shakti ko uss roshni ne
nichodkar uss asrishya planet ke charon taraf lapet diya mantra ke asar ke pura hote hi
teeno devils neeche ludak gaye ab unme aur ek aam insaan me koi fark nahi tha infact aaj
ek aam insaan unse kayi guna zyada shaktishali tha kal toh unhe sahara dene ke liye zamin
thi par aaj wo beech antariksha me the unka sharir bina vaayu ke mandal me taairne laga
ki tabhi unke saamne ek world door khula jo ki Monsikal ka tha uss door se ek roshni ki
rassi si nikli aur teeno par padi teeno ke sharir uss roshni roopa rassi me bandh gaye wo
rassi unhe kheenchti hui uss world door ke andar le gayi unke andar jaate hi world door
band ho gaya

Planet: Earth Place: Digvijays house

mom kuch khaa lo aapne kal shaam se kuch nahi khaaya hai

D/Mom:- jis maa ka beta usse chhin gaya ho uske gale se niwala kaise niche utrega beta
aur ye kaisa sanjog hai mera ek beta thek hua toh dusra beta

Subah ka waqt hai Digvijay mansion me maatam chhaya hua hai kal dopahar ko Madox
thek hokar ghar aa gaya tha Madox ki mom ne aakhri baar apne bete ko coma ki haalat
me dekha tha Balbeer ne apni biwi se yahi kaha tha ki Madox ko thek karne ke liye usse
USA bhejna padega uss din ke baad aaj Madox ki mom ne apne bete ko dekha tha wo
bohat khush ho gayi thi par unki khushi bas kuch hi der ke liye hi thi Madox ko ghar aaye
abhi kuch hi der hui thi dono maa bete ne lunch kiya hi tha ki itne me unke ghar ke land
line ki ghanti baji ye phone Police station se aaya tha iss khabar ke saath ki unke farm
house me aag lag gayi thi jisme unka dusra beta Digvijay jal kar mar gaya tha thodi hi der
me ambulance me Digvijay ki jali hui body bhi aa gayi shaam tak Madox ne Digvijay ke
clone ki body ka antim sanskar bhi kar diya tha aur aaj Digvijay ke guzarne ke baad ki pehli
subah thi

Madox:- mom aapne toh fir bhi apne uss bete ke saath kafi waqt bitaya hai par mera kya?
maine toh usse pehli baar saamne se dekha wo bhi uske guzar jane ke baad apne chote
bhai ko gale lagane ka hak bhi mujhse chhin gaya hai itna hi nahi mujhe toh apne pita ka
prem bhi sirf kuch hi dino ke liye naseeb hua par mom hamare rone se wo dono wapas
toh nahi aa jayenge naa par aapko yun khaana peena chhodta dekh dad aur bhai ki
aatmao ko kitna dukh pahunch raha hoga mere liye na sahi kamse kam un dono ki aatma
ki shanti ki khaatir kuch khaa lijiye Madox ne apni mom ko sahara dekar uthaya aur unhe
dining table par bithaya aur breakfast karane laga chaliye jab tak Madox apni mom ko
breakfast kara raha hai tab tak main aapko Madox ke saath kya kya hua wo bata deta hun
kaha se shuru karun haan Vikram aur Madox ki ladai ke baad jab Alesendra Vikram ko
uthakar apne planet le gayi uske baad se shuru karta hun toh jis tarah Ronit ke behosh
body ko Baba Vishakht utha kar hospital le gaye the ussi tarah Madox ke jagah jagah se
fat chuke sharir ko uthakar uske dad ghar le aaye the waise toh Madox ka sharir ke saare
ghaaw kuch hi minutes me bhar gaye the par Ronit ki hi tarah Madox bhi coma me chala
gaya tha par Ronit sirf ek shock ki wajah se coma me tha jabki Madox ke dimag ki naso
me Vikram dwara bole gaye vidhwanshak spell ka asar hua tha jiski wajah se Madox thek
nahi ho paa raha tha kyu ki Madox bhi ab ek devil tha issliye usse thek karne ke do hi tarike
the ek toh Asmodeus tha jo bina apne matlab ke kisi ki madad nahi karta aur dusra tha
kisi dusre powerful devil ka apne saari kaali shaktiyon ka tyag kar uss shakti ko Madox ke
dimag se jodna par ye koi choti moti baat nahi thi aur ek devil ke liye toh bilkul bhi nahi
kyu ki kaali shaktiyon ka tyaag matlab mout jaise insaan ka sharir uske heart aur dimag ke
chalne se kaam karta hai waise hi ek devil ka sharir uski kaali shaktiyon ki wajah se kaam
karta hai apni zindagi ka tyag karna koi choti moti baat toh hai nahi aur waise bhi tyag
jaise shabd devil's ke dictionary me nahi aate par Digvijay ne ye tyag diya usne apni saari
kaali shakti apne bhai ke sharir me transfer kar di halaki ye tyag bhai prem se zyada
pratishodh prem ke liye tha Digvijay Vikram se haar toh gaya tha par haarte haarte bhi
usne Vikram ke liye apne bhai ke roop me ek pratidwandiek dushman chhod gaya tha
Digvijay dwara tyagi gayi uski kaali shaktiyon Madox ke andar sama gayi jise Madox thek
bhi ho gaya tha aur pehle se zyada taakatwar bhi toh ye thi Madox ki ab tak ki kahani ab
chalte hain wapas humari kahani ki taraf
Madox:- mom aap kuch der rest kar lijiye aap kal se soyi nahi hain apni mom ko breakfast
karake Madox ne unhe unke bed room me chhoda aur wapas aakar hall me rakhe sofe
par baith gaya

Madox:- main uss Vikram ko aisi mout dunga ki wo dobara janm lene se bhi darega par
karu kya mere saath hui ladai me usse bhi meri hi tarah choten aayi thi par ek taraf jahan
main itne waqt tak behosh raha wahi wo tabhi se hi bilkul thek hai mera bhai itna
shaktishali tha usse bhi usne maar diya iska toh ek hi matlab hai ki ab wo pehle se bhi
zyada shakti shali hai par kaise? uski shakti ka shroth kya hai? ab mujhe har kaam soch
samjh kar karna hoga aur sabse pehle mujhe bhi uske jitna nahi nahi usse bhi zyada shakti
shaali banna hoga par kaise?

ab ki na tumne sahi baat awaaz sunkar Madox chonk gaya abhi uska shock level kam ho
hi raha tha ki agle hi pal jo hua usse uska shock 10 guna tak badh gaya

Place: College Canteen

Anjali:- babes are u alright

Shanaya:- tu bol toh ghar chalen

Subah ka waqt hai kal Digvijay ki mout ki wajah se aaj hamare college ko off de diya gaya
tha subah se hi Avantika kafi kam bol rahi thi aur kahi khoyi hui si thi

Avantika:- nahi guyz main theek hon kal mere Avantika ko uske room me chhodne ke kuch
ek ghante baad usse hosh aaya tha Avantika ne dheere se apni aankhen kholi aur jaise hi
usse yaad aaya ki behosh hone se pehle kya hua tha wo ek jhatke me uth kar baith gayi
usne idhar udhar nazar doudayi usse ye jaankar ek jhatka laga ki wo apne kamre me thi
pehle toh usne jo bhi uske saath hua tha wo sapna laga par jaise hi uski nazar uski kalayi
ki taraf gayi usse yakin ho gaya ki wo sab sapna nahi sach tha ye soch kar ki aaj uske saath
kya hone wala tha Avantika apne ghutno ko mod apne sar ko unme chhupakar rone lagi
kuch der ro lene ke baad Avantika ka mann kuch halka hua

Avantika:- (mann main) main yaha kaise pahunchi? mujhe kisne bachaya kahi pita ji ne
toh kafi der tak sochne ke baad achanak Avantika ko apne pichle janam ke pita Guru
Vishisht ka khayal aaya

Avantika:- zaroor pita ji ko iss baat ka andaza pehle se hi ho gaya hoga issliye unhone
pehle se hi mujhe bachane ke liye kuch arrangements kar ke rakhe honge Avantika ne
Guru Vishisht ko mann hi mann thanks kaha aur uthkar neeche chali gayi kal ka pura din
Avantika ne ghar ke kisi na kisi member ke saath bitaya usse ab bhi dar tha ki kahi Digvijay
wapas na aa jaye par kal shaam ki breaking news jisme Digvijay ke marne ki khabar aa rahi
thi usse sunkar Avantika andar hi andar khush ho gayi uske ghar wale usse himmat rakhne
ke liye bol rahe the Avantika unhe sach toh bata nahi sakti thi issliye usne unke saamne
sad hone ki acting karni shruru kar di thi

Main:- tumhare haath ko kya hua Avni? Avantika ke right kalai me kuch red marks the jise
dekhkar maine pucha?

Avantika:- wo actually ye woo Avantika jo kal jo bhi hua ussi khayalon me khoyi hui thi
mere yun achanak puchne se wo hadbada gayi thi

Shanaya:- arre ye ye toh allergy hai

Main:- kisne kaha?

Shanaya:- Avni ne kyu?

Main:- allergy ke marks aise nahi hote ye toh kisike zor se kalai ko pakad kar modne se
aane wale marks hain haina Avantika meri baat sunkar kuch nervous si ho gayi

Shanaya:- par Avni ne toh kaha tha ki ye Avni sach sach bata tujhe meri kasam ye allergy
ke hi marks hain naa ab Avantika fas chuki thi wo Shanaya ki kasam ko jhuth bolkar tod
nahi sakti thi

Avantika:- wo actuallyye allergy nahi hai ye wo

Main:- kisine tumhare kalayi ko zor se pakad kar dabaya hai haina? Avantika ne sar neeche
kar haan kaha Avantika ki baat sunkar Shanaya Ronit Anjali teeno shocked ho gaye

Ronit:- kisne kiya aisa? mujhe bas tu uska naam bata abhi saale ki haath ki haddi hi tod
deta hun

Shanaya:- babes chup chaap naam bata uska jisne ye kiya hai

Avantika:- Digvijayyy

Sab:- whattt?

Shanaya:- par kyu? I mean mujhe toh kuch samjh me nahi aa raha hai jo bhi baat hai
clearly bata

Avantika:- kal wo mujhe apni mom ke paas lejane aaya tha


Shanaya:- haan ye toh mujhe maalum hai toh usse kya?

Avantika:- usne kaha tha ki uski mom ki tabiyat kharab hai aur wo mujhse milna chahti
hain par aisa nahi tha wo mere saathhh

Shanaya:- tere saath kya?

Avantika:- intimate hona chahta tha

Sab:- whattt iss baar ka whatt pichle baar ke whatt ke mukable zyada loud tha

Avantika:- haan aur jab maine mana kiya toh wo mujhe force karne laga usne mere haath
pakad zor se daba diya tha issliye ye marks aaye par maine usse Police ki dhamki di tab
jaakar usne mujhe chhoda aur main ghar bhaag aayi (jhoot)

Shanaya:- aur ye baat tune kisi ko batayi nahi aur kal shaam ko hum sabne jab Digvijay ki
death ki news ke bare me sunkar tujhe samjha rahe the tab bhi tu chup rahi

Avantika:- maine usse breakup kar liya tha issliye main uss baat ko bhul jana chahti thi

Shanaya:- toh tu kal se isliye itni sad thi Avantika ne haan me sar hilaya

Anjali:- acha hua saala kutta mar gaya warna main hi usse maar daalti

Ronit:- main toh saale ki asthi yon ko kholunga aur uski dead body ki raakh par mutunga
itne tension wale mahoul me bhi Ronit ki baat sunkar hum sab hans diye mera kaam ho
gaya tha main Avantika ko jhutti acting karne se bachana chahta tha aur saath hi Digvijay
ke liye sabhi ke mann se sahanubhuti mitana bhi aur dono hi kaam ho gaye the

Main:- abbe ladkiyan hain soch samjh kar bola kar waise mere paas ek news hai jise sunkar
tumhara mood ekdum fresh ho jayega Avni

Avantika:- kaisi news? maine Ronit aur Anjali ki taraf dekha dono hi sharma kar sar ko
neeche kar liye

Shanaya:- ab batayega bhi aur ye dono sharma kyu rahe hain?

Main:- inki jodi ab official ho gayi hai

Shanaya Avantika:- matlab?

Main:- matlab inke relationship ke bare me ghar walon ko sab kuch pata hai aur wo sab
inki shayadi ke liye bhi maan gaye hain meri baat sunkar Shanaya aur Avantika ke mouh
khul gaye
Avantika:- are u serious?

Main:- damn serious babes Avantika aur Shanaya ne baari baari Ronit aur Anjali ko hug
kiya

Avantika:- u both are so lucky yaar pyar ke milne se zyada important hai uss pyar ko
hamesha ke liye paa lena

Main:- jo pyar sacha hota hai usse paane ka raasta upar wala bata deta hai meri baat
sunkar Avantika meri taraf dekhne lagi

Ronit:- par hamare pyar ka rasta upar wale ne nahi unke bete yaani tune bataya hai Ronit
ne baaton baaton me sach bol diya tha

Shanaya:- matlab

Anjali:- main batati hun isne Palamfos pahunchte hi phone kar ke aunty ko sab bata diya
tha aur hum teeno ke ghar me se agar kisiko bhi kuch bhi pata chalta hai toh baakiyon ko
bhi sab kuch pata chal jata hai hum jab ghar pahunche toh sab iske gharme hamara intezar
kar rahe the hamare liye toh ye normal tha par ghar me ghuste hi Vj ne "miliye hamare
naye love birds se" ye kehkar hamare upar bomb fod diya pehle toh sabne hamare kaan
marode

Ronit:- hamare nahi sirf mere tujhe toh chummiyan hi mil rahi thi Anjali ki baat ko beech
me hi kaat kar Ronit bola

Anjali:- haan tere kaan marode par fir hume ek naya jhatka laga Jairaj uncle ne ye
announce kar diya ki hum dono ki shayadi hamare padhayi khatam hote hi kar di jayegi

Shanaya:- tum dono sach me lucky ho babes I mean kitne cases me aisa hota hai jaisa
tumhare saath hua hai

Ronit:- haan ye toh hai

Avantika:- kya haan ye toh hai? party chahiye hume

Shanaya:- bilkulll

Ronit Anjali:- done

Main:- aaj toh college off ho gaya hai chalo pehle movie dekhte hain wahi decide kar lenge
sab meri baat par raazi ho gaye aur hum nikal gaye movie dekhne

Planet: Monslickel Place: Asmodeus palace


kaun ho tum? aur main yaha kaise pahuncha? jis awaaz ko sunkar Madox shocked hua tha
wo aur kisiki nahi Asmodeus ki thi aur agla jhatka usse isliye laga tha kyu ki wo jis sofe par
baitha Vikram ke bare me soch raha tha ab wo uss sofe me nahi tha uss sofe me kya wo
toh apne ghar me ghar me kya apne grah me hi nahi tha wo iss waqt Asmodeus ke realm
me uske saamne khada tha aur thek apne bhai ki hi tarah jab wo pehli baar yaha aaya tha
Asmodeus ko nahi pehechanta tha

Asmodeus:- tum iss waqt Monslickel planet me ho aur rahi meri baat toh main tumhare
baap ka baap hun Asmodeus ki bat sunkar Madox ko ghussa aa gaya

Madox:- teri itni himmat ruk tujhe batata hun Madox ne ek aag ka gola banaya aur
Asmodeus ki taraf fek diya ahhh ab ye dard bhari aawaz Asmodeus ki toh ho nahi saktiye
dard bhari aah Madox ke mouh se hi nikli thi hua ye ki jis gole se Madox ne Asmodeus pe
waar kiya thawo gola aadhe raste se hi wapas ghum gaya aur wapas jaakar Madox se
takraya jiski wajah se Madox peeche chittakkar gira abhi Madox khada hi hua tha ki

Madox:- arre ye kaise? mere haath aahhh Madox ke khade hote hi uske dono haath uske
baazu se ukhad kar hawa me jhul rahe the Madox ko iss waqt asahaniya peeda ho rahi thi

Asmodeus:- jin haathon ne hum par waar karne ki koshish ki unhe toh ukhadna hi hai

Madox:- mujjheee maaf kardo plz Madox ki dard bhari request sunkar Asmodeus ke
chehre par muskaan aa gayi usne apni ungliyan hilayi aur agle hi pal Madox ke dono haath
jo ki hawa me jhul rahe the wo wapas aakar Madox ke baazu se jud gaye Madox ka dard
bhi khatam ho gaya tha Madox fati aankhon se Asmodeus ki taraf dekh raha tha par agle
hi pal Madox apne ghutno par baith gaya

Madox:- mujhe apni sharan me le lijiye mujhe aur shakti shaali hona hai

Asmodeus:- hota kuch bhi nahi hai bache banna padta hai aur kuch bhi banne me kafi
taklife uthani padti hain

Madox:- main koi bhi taklif se ladhne ke liye kitna bhi dard jhelne ke liye tayar hun bas
mujhe shakti shali banana hai bohat shakti shali

Asmodeus:- shakti ki bhook sabse badi bhook hoti hai par isse paane ke liye kurbaani bhi
deni hoti hai jo mujhe nahi lagta ki tum de paaoge

Madox:- main badi se badi kurbani dene ke liye tayar hun


Asmodeus:- hmm wo toh pata chal hi jayega pehle main tumhe shakti shali banne ka
maarg bata deta hun par usse pehle ye batao ki kya tum jante ho ki Vikram ne kis cheez
ki madad se tumhare bhai ko maara

Madox:- nahi

Asmodeus:- Trance phool ke paani ki madad se Trance phool ka paani kisi zamane me
angels piya karte the ye unke jashn me istemaal ki jane wali sharab thi ye paani angels ke
liye jitni swadisht hai devils ke liye utni hi zehrili hai issliye mere kehne par mere devils's
ne uss pool ke aas paas ki jagah ko dushit kar diya jiski wajah se angels waha fir kabhi nahi
aaye Vikram ne tumhare bhai ke sharir ke saare andruni angon me iss paani ko chidak diya
tha jiski wajah se Digvijay ka sharir andar se fat gaya tumhe bhi issi paani ka sewan karna
hai Madox Asmodeus ki baat sunkar chonk gaya

Madox:- par abhi toh aapne kaha ki wo paani devils ke liye zehrilli hai fir main kaise?

Asmodeus:- devils ke andar black energy hoti hai jise wo paani kaatti hai issliye ye devils
ke liye haani karak hai par agar koi devil iss paani me white energy ko milakar piye toh
uski mrityu nahi hogi

Madox:- par white energy aayegi kaha se?

Asmodeus:- samundar ke paas aakar puchte ho ki paani kaha hai?

Madox:- matlab? Asmodeus Madox ka sawal sunkar muskuraya aur agle hi pal kuch aisa
hua jise dekhkar Madox ki aankhen hairat se fail gayi Asmodeus ka pura sharir iss waqt
white light se jo ki ek angel ki pehchaan hai usse glow kar raha tha thodi der tak yunhi
rehne ke baad Asmodeus normal ho gaya Madox jo ki apne ghutno par ab bhi baitha tha
wo ab apne haath jode Asmodeus ke saamne sidhe let gaya

Asmodeus:- uth jao Madox

Madox:- main nahi janta ki aap kaun hain par aaj aur abhi se aap mere bhagwaan hain

Asmodeus:- ab tumhe ghar jana hoga Madox shakti sevan ka adhyaya tumhare jeeven me
kal se shuru hoga kintu yaad rahe ye aasan nahi hoga do cheezon me se ek ko chunane ke
liye tayar rehna

1st: dard 2nd: tyag

Madox:- main dono ke liye hi tayar hun Asmodeus ne muskurakar apna haath aage kiya
aur agle hi pal Madox wapas apne grah apne ghar me the
Asmodeus:- tumhari shaktiyan badh rahi hain mere bhai toh chunoutiyan ka sthar bhi toh
badega naa kal ki pareshani ki yukti tumne pehle se soch li thi par aaj ka kya ek baadha ko
toh tum jaise taise paar kar loge par dusre se kaise niptoge par ye sab toh baad ki baat hai
socha tha ki tumhe kuch mouke dun par mere khaas mohre ko maarkar tumne apna waqt
khud kam kar liya hai ummid hai ki tum tayar rahoge kyu ki bohat jald hamari pehli
mulakat hogi mere bhai

Planet: Earth Place: Dream Land

kaun ho tum? aur aur ye kaisi jagah hai? aur ye abhi kya hua tha tum achanak kaise mere
saamne aa gaye? ek shaksh jo iss waqt ek badi si magar khaali ujaale se bhari hui
auditorium jaisi jagah me khade the abhi wo iss jagah ko samjhne ki koshish kar hi rahe
the ki unke saamne roshni si bhari jagah ke beech aur roshni hui aur uss roshni ke beech
se ek dusre shaksh bahar aaye jise dekhkar pehle wale shaksh shock ho gaye aur sawal
puch baithe koi yun achanak roshni ke beech se prakat ho toh ye ek aam insaan ke liye
toh ye shocking baat hi hogi naa

2nd Person:- itna shock hone ki zaroorat nahi hai aap iss waqt swapn dekh rahe hain ye jo
bhi ho raha hai wo aapke neend me ho raha hai

1st:- tabhi par sapne me bhi aisa kuch toh maine kabhi nahi dekha jisme koi mujhe ye bata
raha ho ki aap sapne me hain

2nd:- wo issliye kyu ki aap sapne me hain main nahi

1st:- matlab

2nd:- matlab ye ki ye jagah jisme hum dono iss waqt khade hain wo maine rachi hai maine
hi aapke dimag me iss sapne ko buna hai ye bhale hi ek sapna hai par jo baat hamare
beech ho rahi hai wo sach hai

2nd:- mujhe aapki koi bhi baat samjh nahi aa rahi hai?

1st:- aa jayegi pehla shaksh dusre shakhsh ke paas gaya aur uske sar par haath rakha pehle
shaksh ko apne dimag me aaj uske sone ke baad kya hua wo sab dikhne laga uske sone ke
baad ek roshni uske maathe ke beecho beech lagi aur uske andar chali gayi aur uske dimag
ke andar ghuste hi wo roshni fail gayi aur agle hi pal iss jagah ka nirman ho gaya jahan ye
dono khade the jagah ke bante hi pehla shaksh achanak waha prakat hua aur uske baad
ka toh wo aur aap dono jante hi hain saare pictures dikhane ke baad second shaksh ne
apna haath hata liya jo bhi apne dimag me dikha usse dekhkar 1 st shaksh kafi shock ho
gaye

1st shaksh:- aap kaun hain?

2nd shaksh:- ek apradhi

1st:- matlab?

2nd:- main wo hun jo ye jante hue bhi ki kya ho sakta hai kuch bhi nahi kar sakta

1st:- mujhe aapki koi bhi baat samjh nahi aa rahi hai 2nd shaksh ke chehre par ek dard bhari
muskaan aa gayi usne ek baar firse pehle shaksh ke sar par haath rakh diya 1 st shaksh ki
aankhen band ho gayi aur usse wo sab kuch dikhne laga jiske bare me 2nd shaksh keh raha
tha itna hi nahi jo kuch ho chuka tha aur jis kaaran se hua tha wo sab bhi uske band
aankhon ke aage ghumne laga sapne me hone ke baawajud uss shakhs ki aankhon me
aansu aa gaye ye aansu sirf sapne me hi nahi nikle the wo shaksh jo asal me soya hua tha
uske neend se band ho chuki aankhon ke kinaron se bhi aasun nikalne lage sab kuch dikha
dene ke baad 2nd shaksh ne apna haath hata liya

1st shaksh:- ab mujhe khud bhi jeene ki koi khwahish nahi hai

2nd shaksh:- baat khwahish ki nahi sahi aur galat ki hai

1st shaksh:- fir aap kuch kar kyu nahi rahe?

2nd:- issliye toh main apraadhi hun

1st:- kya mujhe kaaran janane ka bhi hak nahi hai?

2nd:- agar aapke paas ek ko bachane ka mouka ho par uske liye aapko carodon ki jaan
mushkil me daalni pad jaye toh aap kya kare ge?

1st:- ek ke liye carodon ki jaan ko khatre me kaise daala jaa sakta hai?

2nd:- aap wahi ek hain 1st shaksh 2nd shaksh ki baat sunkar chonk gaya par fir uske chehre
par ek santosh bhari muskan aa gayi

1st:- mujhe aapke kehne ka matlab toh samjh nahi aaya par aapki aankhon me mujhe sach
dikhta hai mujhe apne marne ka gum nahi hai balki iss baat ki khushi hai meri marne se
aur logon ki jaan bach jayegi

2nd:- aapki issi soch ki wajah se heaven me aapko swarg vaasion me sabse saamaniya sthan
milega 2nd shaksh ne ek baar 1st shaksh ke pair chue aur gayab ho gaya 2nd shaksh ke gayab
hote hi wo jagah bhi gayab ho gayi aur jo shaksh ye sapna dekh raha tha uski aankhen
khul gayi pehle toh usse kuch samjh nahi aaya fir usne apne aakhon ke niche chua jahan
par uske sukhe hue aasuon ki parat ab bhi moujud thi ii kuch waqt laga par fir uss shaksh
ko samjh aa gaya ki usne sapna zaroor dekha tha par ye pehla sapna tha jisme haqiqat se
zyada sach chupa hua tha uss shaksh ke aankhon me ek baar fir se aansun aa gaye par ye
aansun bohat rare the kyu ki inme dard aur khushi dono ke paani mile hue the iss waqt
subah ke for baj rahe the raat ko wo shaksh kafi late soye the aur aaj unki neend jaldi khul
gayi thi fir bhi unhe aisa lag raha tha jaise unhone iss puri zindagi ki neend puri kar li hai
wo fatafat uthe aur unhone snaan liya unka mann kuch wyakul ho raha tha hota bhi kyu
naa jis insaan ko ye pata ho ki uski aakhri ghadi aa gayi hai uska mann toh pareshan hoga
hi naa tayar hokar wo shaksh puja ghar me bhagwan ki murat ke saamne baith gaye aur
bhagwan se aane wali ghadi ko jaldi se aakar beet jane ki prarthana karne lage

Place: Menakshi Mansion

kaha hai yaar tu? kab se call kar rahe hain tujhe aur tu hai ki phone hi nahi utha raha? aaj
sunday hai breakfast karke main apne room me leta kuch soch raha tha subah se hi mere
charon friends ka phone aa raha tha par aaj mujhe kisi se bhi baat karne ka mann nahi kar
raha tha issliye maine kisika phone nahi uthaya

Main:- wo thoda busy tha yaar Anjali aur Ronit ne mere chehre ko abhi tak dhayan se nahi
dekha tha par meri baat me chupi udaasi ko dono bhaamp gaye aur mere chehre ko
dhayan se dekhne lage unhe mere chehre par bhi wahi udasi dikhi jo mere baaton me thi
Anjali aur Ronit dono mere ek ek side baith gaye

Anjali:- kya hua Vj?

Main:- kuch bhi toh nahi meri awaaz abhi bhi kafi low thi

Ronit:- dekh bhai tere jaisi gehrai ki poonch pakad ke baaton ke andar se baat nikalkar
bolne ka hunar na mujhe aata hai aur naa hi Anju ko bas itna bol sakta hun ki hum dono
hi tujhe udas nahi dekh sakte toh jo bhi baat hai wo sach sach bata de

Anjali:- maana ki hum tere jitne taakatwar nahi hai taakat toh door ki baat hai hum toh
tere saamne kuch bhi nahi fir bhi shayad teri promblem se ladhne me teri koi help kar den
Anjali aur Ronit ki baat sun maine ek baar dono ko gaur se dekha fir ek gehri saans chhodi

Main:- aur agar main kahu ki meri problem meri taakat hi hai toh Anjali aur Ronit meri
baat sunkar chonk gaye
Dono:- matlab

Main:- yaar pehle kitna sahi tha naa hum teeno kitni masti kiya karte the

Ronit:- toh saale ab kya badal gaya hai ab bhi toh hum kitni masti karte hain

Main:- badal toh gaya hai mere dost meri haqiqat mera astitva badal gaya hai pehle main
sirf Jairaj Singh aur Menakshi Singh ka beta tha aur ab

Anjali:- God ka beta hai toh ye toh achi baat hai naa acchi waise toh hum sabhi God ke
bacche hain par iss pure universe me tu akela hi hai jsike paas iss baat ka copyright bhi
hai

Main:- dusra

Dono:- matlab

Main:- main God ka dusra beta hun maine waise toh Anjali aur Ronit ko apne bare me
lagbhag sab kuch bata diya tha par apne bhai Asmodeus ke bare me nahi bataya tha Anjali
aur Ronit meri baat sunkar shocked ho gaye

Anjali:- toh pehla beta kaun hai?

Main:- kaali shaktiyon ka maalik Asmodeus

Ronit:- naam toh bada cool hai Asmodeus Ronit ki baat sunkar main muskura diya

Anjali:- abbe hans kyu raha hai?

Main:- tu pehla banda hai jisne Asmodeus ki taarif ki hai

Ronit:- matlab

Main:- tune meri baat dhayan se nahi suni maine kaha ki wo kaali shaktiyon ka maalik hai
iss bramhaand me jitni bhi cheeze galat hain sabke peeche ussi ka haath hai carodon logon
ko maara hai usne har kaali aur galat cheez se shakti milti hai usse

Anjali:- toh God usko punish kyu nahi karte?

Main:- wo aur main dono hi unke urja se bane hain hume wo maar nahi sakte? sirf hum
dono hi ek dusre ko maar sakte hain

Ronit:- pata hai bachpan se hi tu har cheez me aage raha hai haalaki mujhe teri har jeet
pe bohat khushi milti thi par main hamesha sochta tha ki ek banda har cheez me aage
kaise ho sakta hai mujhe hamesha se laga tha ki tu kisi khaas maksad ko pura karne ke liye
hi janma hai fir ek din mujhe pata chala ki tu magic bhi kar sakta hai ek naya jhatka par iss
jhatke ke saath saath meri shak ki tu khaas hai yakin me badal gaya par trianing ke waqt
jab hamare teeno Guruon ne hame teri puri asliyat batayi toh pehle toh hume yakin nahi
hua par fir maine teri aadatein itna talented hone ke baawajud tera grounded hona itna
zyada handsome hone par bhi kabhi kisi ladki ki taraf aankh uthakar nahi dekhna ye saari
baaton par mera dhayan jaate hi mujhe unki baaton par yakin hone laga

Anjali:- mujhe bhi shuru me doubt tha par jab training ke douran humne adbhudh cheeze
dekhin aur seekhin toh mujhe bhi iss baat par yakin hone laga aur aaj tere bhai ke bare
me sunkar ye pakka ho gaya ki ishwar ne tujhe hi kyu chuna hai usse ladkar usse khatam
karne ke liye

Main:- yahi sab toh main nahi chahta hun yaar main ek normal zindagi chahata hun jaise
pehle thi hard work karke achi position lekar paas hona chuttiyon me jaadu se nahi balki
flight ki ticket lekar yaha waha ghumne jana bade hokar dad ko unke kaam se chutti dena
mom dad nana nani in sab ki khub sewa karna in short wo sab karna jo ek aam banda
karta hai main aisi life chahta hun yaar ye Lord of Angel banna jiski wajah se har koi mere
aage jhuke aur jo na jhuke wo mujhe maarne ki koshish kare aur iss chakkar me khud hi
maara jaye ye so called supernatural life mujhe nahi chahiye

Ronit:- har koi iss tarah ki powers ka bhooka hota hai aur ek tu hai jise ye sab nahi chahiye
shayad issliye tu wo hai jo hai

Main:- bhai har chamakti chiz sona nahi hoti itne powers hone ke baawajud mujhe kabhi
kabhi aise faisle lene padte hain jise meri aatma tak challi ho jati hai dil me itni bechaini
hoti hai ki lagta hai sab kuch abhi khatam ho jayega jab aapke dimag me pure universe ka
naksha chappa ho aapko sabke dukh unke dard dikhte hon aapke paas powers bhi hon
jise aap unhe unke taklif se mukti dila sakte hain iske baawajud aapke haath bandhe hain
aap chaahkar bhi kuch nahi kar sakte uss waqt kaisa lagta hai ye tum dono imagine bhi
nahi kar sakte

Ronit:- yaad hai ek waqt tha jab tu hamesha parables me baat kiya karta tha school me
jab kabhi main cheating karta tha toh tujhe pata chal jata tha aur hamesha mujhe teri
daant sunni padti thi tu hamesha kehta tha ki smooth roads never make good drivers &
there iss no short cut to success ache raaste kabhi ache drivers nahi bana sakte aur
kaamiyaabi ka koi shortcut nahi hota aur jab maine tujhse in dono parables ka matlab
pucha toh tune kaha tha ki mehnat kar ho sakta hai ki jis waqt tu hard work kar raha hoga
padh raha hoga toh baaki cheezen jinme tu dilchaspi leta hai wo peeche chhut jayen tu
kuch waqt tak apni mann pasand cheeze naa kar paye par jis din tera result niklega tu uss
result ko lekar apne mom dad ke saamne jayega aur jab tere ache result ko dekhkar tere
parents ki aankhon me khushi ki chamak aayegi naa toh tere mann main ek aisi khushi ki
leher uthegi jo tujhe uthakar sidhe saatve aasman me baitha degi mujhe gyaan aur tyaag
ka paath padhaa ke tu khud hi bhul gaya aaj tu bhi meri hi tarah demands kar raha hai
normal life mom dad ki sewa karna ye toh tu ab bhi kar sakta hai par jo zimmedari tujhe
mili hai agar tu uspe khara utar gaya toh soch kitne mom dad ke bache paap ke raaste ko
chhod sahi raaste par chalne lagenge teri jo insaano wali ichayen jaag rahi hai naa tere
tyaag se najane kitne bhatke hue ladke ladkiyan sudhar kar apne mom dad ki sewa kare
ge Ronit ki baatein sunkar Anjali ko aaj apni choice par garv ho raha tha wahi mere liye ek
baat aaj clear ho gayi thi ki God ne chun chun kar logon ko meri zindagi me bheja hai agar
aise dost ho naa toh ek kya main 100 Asmodeus se bhid jaaunga haalaki isme mera hi
nuksaan tay hai pelayi bhi meri hi honi hai par saala fir bhi bhid toh jaunga

Main:- tu kab bada ho gaya be? tujhe itni intelligent aur intellectual baatein suit nahi karti
waise teri iss speech ka asar mujhse zyada kisi aur par hua hai meri baat sunkar jab Ronit
ne Anjali ki taraf dekha toh Anjali sharma gayi

Main:- najane mera dost ye kaise sehta hai? tera ye sharmana toh bin chue hi katl kar
deta hai

waahhh ye awaaz hum teeno ne nahi saamne se aa rahi Shanaya ke mouh se nikli thi
Shanaya ke peeche peeche hi Avantika ne bhi enrty maari

Shanaya:- kis baat par shayri ho rahi hai? hame bhi batao

Main:- bas kisike husn ke kaside padhe toh wo sharma gaya

Shanaya:- kiske?

Avantika:- tu bhi naa ek number ki dumbo hai in teeno me husn shabd kis pe applicable
hota hai? Anjali par toh ussi ke liye bola hoga naa

Shanaya:- haan ye bhi hai but this not fair Anjali Ronit ki gf hai toh shayri bhi Ronit ko karni
chaahiye naa

Ronit:- agar maine shayri ki toh abhi ke abhi hamara breakup ho jayega issliye meri taraf
se mera bhai bol deta hai Ronit ki baat sunkar hum sab hans diye

Anjali:- toh chalen kahi ghum kar aate hain


Main:- haan chalo fir hum sab bahar ki tataf nikal gaye Ronit Anjali aur Shanaya aage aage
chal rahe the Avantika jaan bujh kar kuch dheere chal rahi thi

Avantika:- ek baat puchun? jaise hi teeno humse thoda aage chale gaye toh Avantika ne
mujhse pucha?

Main:- pehle main puchunga? tumhara haqiqat aur sapna ek hua?

Avantika:- (mann main) ho gaya hai par tumhe abhi bata nahi sakti par bataungi zaroor ek
din

Avantika:- wo sab baad me pehle ye batao ki aaj tumhari aankhen kuch udaas si lag rahi
hain aisa kyu? main Avantika ki baat sunkar ruk gaya Avantika bhi ruk gayi aur meri
aankhon me dekhne lagi

Main:- fir kabhi bataunga

Avantika:- kab?

Main:- ek din Planet Monslickel

Place: Asmodeus palace toh tum tayar ho?

Madox:- ji bilkul

Asmodeus:- ek baar fir se soch lo kyu ki ek baar tumne Trance pool ke paani ka ek boond
bhi pi liyatoh tum peeche nahi hat sakte uske baad tumhare paas sirf wahi do options
honge jinke bare me maine tumhe kal bataya tha dard tyaag

Madox:- main dono ke liye tayar hun Madox ki baat sunkar Asmodeus muskuraya

Asmodeus:- thek hai fir tayar ho jao Asmodeus ne apna ek haath aage kiya uske haath ke
upar ek bada sa katora aa gaya jisme paani bhara hua tha

Asmodeus:- yahi hai uss Trance pool ka paani Asmodeus ne apne dusre haath ki ek ungli
uss paani ke katore ke andar daali Asmodeus ke ungli se white ray nikli aur uss paani me
milti chali gayi

Asmodeus:- ab tum isse pee sakte ho kintu yaad rahe isse tumhe ek ek gunth karke peena
hai Madox ne haan me gardan hilayi Asmodeus ne apne haath Madox ke taraf kar diye
wo katora Asmodeus ke haathon se udta hua nikla aur Madox ke haathon me pahunch
gaya Madox ne ek lambi saans kheenchi aur uss katore ko apne honton se lagakar jaise hi
paani ka ek ghoont liya aahhh ahhh Madox ke haath se katora chhut gaya par katora gira
nahi aur naahi uske andar ka paani zara bhi chalka Asmodeus ne usse girne se rok diya
tha aur khade khade muskura raha tha wahi Madox ki haalat bohat zyada kharab thi usne
apne gale ko khud dabaya hua tha aur zamin me lot raha tha ya yun kahu dard ke maare
chatpata raha tha uske mouh se karn bhedi cheekhen nikal rahi thi kuch der tak aisa hi
hota raha fir dheere dhere Madox ka dard kam hone laga aur kuch hi samay me thek ho
gaya ye uss white energy ka kamaal tha jiski wajah se Madox abhi tak zinda tha

Asmodeus:- lo piyo Madox ke dard kam hote hi Asmodeus ne uski taraf wo pyala fir se
badha diya

Madox:- nahi nahi main aur nahi pee sakta isse paida hone wali jalan asahaniya hai mout
se bhi badatar hai iski peeda

Asmodeus:- tum peeche nahi hat sakte Madox maine pehle hi kaha tha agar tumne ek
baar iss paani ko peena shuru kiya toh tumhe isse pura peena padega

Madox:- par main isse nahi pee sakta haan yaad aaya aapne ek aur vikalp bhi toh diya tha
tyaag wo kya hai bata dijiye dard se toh tyaag hi thek hoga Madox ki baat sunkar
Asmodeus ki muskaan aur gehri ho gayi

Asmodeus:- jaisi tumhari iccha aur fir jaise hi Asmodeus ne Madox ko tyag ke bare me
bataya Madox ki aankhen hairat se fail gayi

Madox:- ye aap kya keh rahe hain main ye nahi kar sakta

Asmodeus:- tumhare paas teesra vikalp nahi hai bacche ab marzi tumhari hai aur tumhe
apna faisla jaldi lena hoga warna jo paani tumne abhi piya hai wo tumhare gale ko faad
dega Madox Asmodeus ki baat sunkar dar gaya dard wo seh nahi paa raha tha aur tyag
itna bada tha jise wo dena nahi chahta tha Madox ke ek baar firse paani ko peene ka vikalp
chuna par ye vikalp uspe aur bhaari pada paani ko peete hi iss baar jo dard uske gale me
hua wo pichle baar ke mukable double tha Madox kafi der tak apne gale ko pakad kar
neeche zamin par chatpatata raha fir jab usse kuch rahat mili toh

Madox:- tyagg main tyag ke liye tayar hun Madox uss paani se hone wale dard se itna dar
gaya tha ki uska vivek ne kaam karna band kar diya tha usne chilla chillakar tyaag ka vikalp
chuna tyaag kehte hi uske gale ki jalan khatam ho gaye wahi Asmodeus ki gehri muskan
aur gehri ho gayi maano wo issi pal ka intezar kar raha tha Asmodeus ne upar dekha aur
agle pal uske chehre par ek khilli udaane wali muskaan thi
Asmodeus:- (mann main) inke liye aapne mujhe chhoda tha Asmodeus ne apne haath
aage kiye aur agle hi pal waha koi prakat hua aur jo prakat hua tha wo bhi apne aap ko
yun achanak kisi dusri jagah par dekh kar chonka tha par fir acahanak uss insaan ki nazar
Madox par gayi aur usse apne subah ka sapna yaad aa gaya aur sapna yaad aate hi uske
chehre par ek fiki si muskaan thi

3rd person:- dekh kya rahe ho? jo karne ke liye mujhe yaha bulaya hai wo karo aur mujhe
bhi iss jeevan se mukti do

Madox:- main majboor hun momm ji haan doston ye shaksh aur koi nahi Madox ki mom
thi ek saaf suthri bhagwaan me astha rakhne wali mahila ek maatr insaan jo ki Madox ka
apna hai kareeb hai aur sabse important sacha hai aur yahi hai tyaag Madox ko apni mom
ke khoon ko uss paani me mila kar peena hoga isse uss paani se ho rahe jalan se Madox
ko mukti mil jayegi ye baat aaj sapne me Madox ki mom dekh chuki thi issliye wo bilkul
bhi surprised nahi hui

Asmodeus:- lagta hai mere bhai se baat karke aapka manobal kafi badh gaya hai tabhi
aapke chehre par bilkul bhi dard nahi hai ji haan dosto jo shaksh Madox ki mom ke sapne
me aaya tha wo aur koi nahi apna hero Vikram tha

Madox:- aapka bhai?

Asmodeus:- jaan jaaoge abhi usme waqt hai filhal inhe jis kaaran se bulaya hai wo toh
pura karo Asmodeus ne apna haath aage kiya agle hi pal uske haathon me ek
chamchamati talwar thi Asmodeus ne talwar Madox ke saamne kar di Madox ne
thartharate haathon se uss talwar ko pakda Madox ki mom toh bas ussi fiki muskaan ke
saath bina dare ek tak Madox ko dekh rahi thi Madox ne do teen baar talwar uthayi par
apni mom par waar nahi kar paya

Asmodeus:- tum rehne do tumse nahi hoga tumhare liye dard ka vikalp hi thek hai aur
jaise hi Asmodeus ne Trance pool ke paani ka pyaala Madox ke aage kiya Madox itna dar
gaya ki soobhh Madox ki talwar apne aap chal gayi aur agle hi pal uski mom ka sar zamin
par pada tha Madox pathrayi aankhon se apni mom ke kate sar ko dekh raha tha

Asmodeus:- jadli se iss paani me apni mom ke khoon milaaokahi khoon sukh naa jaye
Madox ne thake haathon se pyala uthaya aur apni mom ke khoon ko paani me milane
laga kehte hain ki mona lisa ki painting me mona lisa jis tarike se muskura rahi hai uss
muskurahat me insaan ke dil ke saare bhaav dikhte hain Madox ko apni mom ke khoon
ko bharte hue dekh waisi hi kuch muskanan iss waqt Asmodeus ke chehre par thi kuch hi
der me Madox ne paani me khoon ko achi maatra me mila diya tha

Asmodeus:- pee jao Madox ne paani ka ek sip liya iss baar usse bilkul bhi dard nahi hua
dheere dheere karke Madox ne pura pyaala khatam kar diya ab Madox ko apne andar
pehle se 10 guna zyada shakti mehsoos ho rahi thi

Asmodeus:- shakti ke milne se zyada zaroori hai usse control karna aana tum Asmodeus
ne Madox ko kuch nirdesh diye Madox ne apni mom ke shav aur sar ko uthaya aur
Asmodeus ke aage jhukkar gayab ho gaya

mubarak ho apne naam ko ek alag mukaam ki taraf le jaa rahe ho tum abhi Madox gayab
hua hi tha ki itne me Asmodeus ke kaano me ye awaaz padi jise sunkar Asmodeus ke
chehre par muskaan aa gayi

Asmodeus:- pehli baar apne bade bhai se baat kar rahe ho aur uspar bhi taana maar rahe
ho ye toh galat baat hai ji haan dosto ye awaaz aur kisi ki nahi hamamre hero Vikram ki
hai

Main:- rishton ka lihaz haan tumse behter ye aur kaun janega abhi abhi ek bete ke haathon
uski maa ko marwa jo diya tumne meri baat sunkar Asmodeus ko ghussa aa gaya

Asmodeus:- beta kaisa beta? jo sirf shakti paane ke junoon me apni maa ko maar de wo
maine usse vikalp diya tha agar wo chahta toh tyaag ke badle dard ko chun sakta tha par
usne kya kiya? thoda sa dard bhi nahi jhel saka aur iss baat ke liye tum mujhe kusurwaar
tehra rahe ho? aur kyu na tehrao tumme bhi toh hamare papa ke hi goon hai naa bhale
hi insaan kitne hi kameene aur ghatiya kyu naa ho par galat hamesha main hi rehta hun

Main:- galat aur sahi ka nirnay lene wale tum kaun hote ho? apne hissab se niyam aur
kaanoon banane wale tum kaun hote ho? Madox toh tum ko janta bhi nahin tha ye tum
the jisne usse yaha bulaya apni taakat dikha uske andar chupe taakat ki bhook ko bahar
nikala fir usse tarika bataya ki taakat kaise haasil ki jaye ek aisa tarika jisme tum achi tarike
se jante the ki aakhir me kya hoga? jab kal tumne Madox ke saamne do vikalp rakhe toh
kya tumne un vikalpon ka matlab usse samjhaya nahi tum aaj ka wait kar rahe the taaki
pehle Madox wo paani piye usse hone wale jalan ko mehsoos kare jise wo itna dar jaye ki
tyaag usse dard se chota lage kisi ke dimag ko manipulate kar usse bhatkane wale tum
kaun hote ho? agar pita ji ne tumhe nikala hai toh uska kaaran unka insaano ke prati prem
nahi hai balki uska kaaran tumhara insaano ke prati nafrat hai ek aisi nafrat jiske aage
tumhe kuch bhi nahi dikhta paap aur punya tumhe mahaz shabd lagte hain aur kuch nahi
Asmodeus:- insaan apne matlab ke liye kisi ka bhi gala kaatne se nahi hichkichaane wale
maasum ladkiyon ka rape karne wale bhagwan ka naam lekar shaitan ke kaam karne wale
aise insaano se nafrat karna kaha se galat hai?

Main:- paanchon ungliyan barabar nahi hoti bhai agar insaano me khamiyan hain toh
achaiyan bhi hai par kyu ki tum galat ho issliye tumhe sirf galat cheeze hi pehle dikhti hain

Asmodeus:- acha mere ek sawal ka jawaab do main bura hun chalo maan li tumhari baat
par tum kya ho? tumne bhi toh Digvijay ko maara hai naa aur uss din Avantika ke Dada ji
ke bheje gayelogon ko bhi tumne maara tha toh mujhe ye batao ki tum me aur mujhme
antar kya hai?

Main:- jab bhi hum kuch galat likhte hain toh usse mita dete hain jin logon ko maine maara
wo bhi galat likhayi jaise hi the aise log jinke haath maasoomo ke khoon se range hue the
aise logon ko maarna galat nahi punya ka kaam hota hai kyu ki aisa karke aap najane kitne
aur masoom logon ko marne se bachate ho tum janana chaahte ho naa ki tumme aur
mujhme antar kya hai main tumhe ek nahi 3 antar batata hun

1st:- tum me aur mujhme wahi antar hai jo antar nadi ke paani aur samandar ke paani ke
beech hota hai samandar kitna hi vishal kyu naa ho uske paani ko piya nahi jaa sakta aur
nadi ka aakar kitna hi chota kyu naa ho pyaas ussi ke paani se bujhti hai

2nd:- tumme aur mujhme wahi antar hai jo antar sardi ki dhoop aur garmi ki dhoop ke
beech hota hai garmi ki dhoop se badan jal jata hai wahi sardi ki dhoop se sharir ko raahat
milti hai aur aakhri aur sabse bada antar hai

3rd:- "nazariya" "attitude"

Planet: Vrihakh Place: Battle ground

ye sab ek nashe ki tarah hai jitna bhi kar lo aur karne ka mann karta hai subah ka waqt hai
Akshaant Shaila aur Mokalsar yudh abhyas kar rahe hain actually ye kehna thek rahega ki
teeno pichle 5 mahino se lagatar din bhar yudh abhyas kar rahe hain wo bhi bina break
ke jab se Vikram ne teeno ke gyan chakra ki gati ko badhaya hai in teeno ke dimag me
ladhne ke aur spells ko alag alag tarike se bolne aur use me lane ka fitoor sa chaa gaya hai
aur iska kaaran hai har hunar ko seekhne ki gati teeno hi har daaw ko itni bakhubi se sikh
kar apply kar rahe hain ki unka interest level lagatar badhta hi jaa raha hai aur jaise jaise
inka interest level badh raha hai inka gyan chakra inke dimag me ladhne ke aur spells
bolne ke naye naye ideas daal raha hai jise ye aur josh se practice me laa rahe hain abhi
ka scene kuch aisa hai ki Shaila aag ke andar paani ko milakar dono ki shakti jodne ke spell
ko perfect karne me lagi hai haalaki ye karna kafi kathin hai kyu ki aisa successfully karne
ke liye mind ko ek hi waqt me do alag hisso me baatana padhtha hai ek hisse ko aag ki
garmi ko control karna hota hai aur ussi waqt dimag ke dusre hisse ko paani ki thandak ko
control karna hota hai par dhayan chakra ke jaagrit hone ki wajah se Shaila ne iss hunar
me 90 % tak kaamiyabi paa li thi aur bache 10% me mehnat kar rahi thi wahi Mokalsar ek
haath me talwar aur bhaale dono ko aur ussi waqt dusre haath me dhanush baan ko ek
saath chalane ki practice kar rahe the Mokalsar ke dono haath itni tezi se chal rahe the ki
unki koi bhi kriya aur pratikriya dikhayi hi nahi de rahi thi aur sabse anokha abhyas iss
waqt Akshaant kar rahe the Akshaant chote chote patharo me apne dono haath ki taakat
ko mila kar unhe chattaon par fek rahe the anokhi aur chamatkarik baat ye thi ki wo chote
chote patthar un bade bade chattano ko kaagaz ki tarah cheerte hue nikal jaa rahe the

Akshaant:- sach kaha Shaila pehle toh mastishk me aise aise naye abhyas ke upaay aate
hain jinhe sochkar lagta hai ki nahi ho payega par jab unka abhyas aarambh karte hain toh
sab kuch apne aap hota chala jata hai jaise hi uss naye abhyas me safalta milti hai mastishk
ek naya abhyas tayar kar deta hai

Mokalsar:- aur sabse ajeeb baat toh ye hai ki hamara sharir bhi kisi abhyas ko karne ke
liye mana nahi karta hum peechle 5 maah se lagatar bina ruke har din abhyas karte aa
rahe hain par hamare sharir par itne kathin parishram ka ek bhi chinha nahi dikhta

Shaila:- haan ye toh hai par mere paas ek sujhaav hai jise hum apni seemaon ko chunouti
de sakte hain

Mokalsar:- matlab kaisi chunouti?

Shaila:- hamara sharir issliye nahi thak raha hai kyu ki hamara mashtishk taro taaza hai
humne abhi tak jeetne bhi abhyas kiye hain usse sochne ke liye aur hume sikhane ke liye
hamare mastishk ko zyada zor nahi lagana pada hai ab zor hi nahi lagega toh hamara
mastishk thagega nahi aur mastishk thakega nahi toh sharir taro taaza hi rahega naa toh
kyu naa hum apne abhyaas ke charan ko ek paaydaan upar le jaakar aur kathin bana den

Akshaant:- kyu? tumhe acha nahi lag raha hai kya ki hum thak nahi rahe?

Shaila:- asaan chunoutiyon me kya maza? kuch naya kuch aur kathin karte hai naa?

Mokalsar:- hmm toh ye bhi lage haath bata do ki tumne kya socha hai?

Shaila:- hum teeno jodi banakar teesre se yudh kare ge mera matlab pehle main aur
Akshaant tum ek jodi bankar Mokalsar se ladenge hum teeno ke hi gyaan chakra ek jitne
hi khule hain hum dono jab ek saath Mokalsar par humla kare ge toh Mokalsar ke mastishk
ko hum dono ko harane ke liye khudko hum dono ke mastishk se bhi tez chalana hoga fir
ek satr ke abhyas ke baad tum aur mokalar jodi ban jana aur mere saath yudh abhyas
karna fir agle satr me main aur Mokalsar jodi ban jayenge aur tumse yudh kare ge isse
hum aur adhik sashakht aur saksaham ho jayenge aur saath hi hume hamare mashtishk
ki seemaon ka bhi gyan ho jayega

Mokalsar:- ek baar fir se soch lo ye yojna jitni saarthak hai utni hi khatarnaak bhi hai kyu
ki humla karte waqt hamari gati itni tez hoti hai ki hum khud ko achanak rok nahi sakte
aur iss yojna ke hissab se toh hum ek jodi bankar tessre akele se ladenge uss waqt jo bhi
akela hoga usse akele hi dono ki gati ki barabari karni hogi jo bohat kathin hai agar kahi
koi chuk ho gayi toh jo akela lad raha hoga usse gambhir chote bhi aa sakti hain

Shaila:- yahi toh asli pariksha hai jisme hume uttirn hona hai kyu ki bahar jo hamare
dushman hai wo bohat shaktishaali hain unka gala kaatne ke liye hamare paas unse zyada
taakat tezi aur anya bhi bohat se hunar ki aawashyakta padegi

Akshaant:- tumhara ishara Nishkalika se hai naa

Shaila:- haan aur jab tak main uske ghamandi sar ko uske gardan se alag nahi kar deti
mere hriday ko chain nahi aayega abhi tak pratishodh ki jwala tumhare bhitar prajwalit
hai Shaila? mujhe laga humari pichli mulakat ke baad meri shakti ko dekh ye aag thandi
pad chuki hogi par dekh rahi hun ki main galat thi tumhe abhi tak ye galatfehmi hai ki tum
mujhe mout ke devi Nishkalika ko maar sakti ho

ye awaaz bhale hi Mokalsar aur Akshaant nahi pehchaan paye hon par Shaila iss awaaz ke
maalik ko ya yun kahu iss awaaz ki maalkin ko bohat achi tarah pehchaan gayi thi

Shaila:- Nishkalika

Nishkalika:- haan Nishkalika par tum mujhe apni mout bula sakti ho teeno ko bas
Nishkalika ki awaaz hi sunayi de rahi thi unhe wo dikh nahi rahi thi ki tabhi soobhh

Akshaant:- Shaila tannn hua ye ki Shaila ke peeth ki taraf se ek bhaala tez gati se uski taraf
aaya jise Akshaant ne jo ki halka tedha khada tha usne dekh liya aur uske mouh se Shaila
naam ki cheekh nikal gayi par Shaila ye achi tarike se janti thi ki Nishkalika koi na koi waar
zaroor karegi aur jaise hi uske piche ki taraf se bhaala uski taraf aaya Shaila ki indriyon ne
usse warning de di aur agle hi pal Shaila ke haathon me ek talwar chamki Shaila ne tezi se
piche ki taraf apni talwar ghumayi talwaar bhaale ki nukile bhaag se takrayi aur jhitak ke
door jaa giri ki tabhi sabhi taraf se ek saath kayi saare hathyar prakat hue aur teeno ki
taraf tivr gati se badhe ab tak Akshaant aur Mokalsar bhi sambhal chuke the dono ke hi
haathon me alag alag hathyar aa gaye aur jaise hi Nishkalika ke chhode gaye haithyar unke
kareeb pahunche dono ke haath double speed se ghumne lage aur dekhte hi dekhte pas
ek second me Nishkalika ke chhode gaye saare hathyar yaha waha pade hue the Akshaant
aur Mokalsar dono ne ye kaam itni bakhubi se aur itni tezi se kiya tha ki Shaila ko kuch bhi
karne ki zaroorat hi nahi padi aur agle hi pal teeno ke saamne Nishkalika prakat hui

Nishkalika:- adhbhudh kya baat hai? maza aa gaya tum teeno ki yudh shaili toh kafi nikhar
gayi hai waise toh main tum teeno ko maarne aayi thi par tum teeno ke saamarthya ko
dekh kar main bohat khush hui hun aur isliye main tumhe ek aur mouka deti hun meri
sena me aa jao main tum teeno ko apna sena pramukh bana dungi yash aur dhan ki varsha
hogi tum teeno ke upar pura bramhaand tumhare aage jhukega tumhe bas mere aur mere
devil lord ke aage jhukna hoga wahi Nishkalika ke saamne khade Shaila Mokalsar aur
Akshaant toh dusre hi khayalon me khoye hue the unhe ye samjh nahi aa raha tha ki
Nishkalika ne unhe khoja kaise? Vikram ki spell ki wajah se teeno apne sabhi dushmano
ki nazar se bache hue the par aaj Nishkalika ne unhe dhund liya tha jo ki unke liye kafi
ascharyajanak tha

Nishkalika:- itna soch kyu rahe ho? meri baat maanna tumhare liye bohat faayademand
hoga mere sharan me aa jao aur jiyo

Akshaant:- aisa kabhi bhi nahi hoga Nishkalika hum marna pasand kare ge par tumhare
aage jhukna nahi

Mokalsar:- aur hume maarna tumhare liye itna aasan nahi hoga abhi abhi tumne khud
dekha hai ki humne kitni asaani se tumhare saare waaron ko kaat diya hai

Nishkalika:- hahaha mere vaar ko tum kaatoge galat fehmi hai tumhari aur jin vaaron ki
baat tum kar rahe ho wo toh bas mere liye manoranjan tha agar tumne meri baat nahi
maani toh tumhe Nishkalika ke vaar kitne ghaatak hote hain wo bhi dikh jayega in sab
baaton ke beech Shaila jo ki hamesha se hi aggresive nature ki rahi hai wo chup khadi
kuch soch rahi thi

Shaila:- tumne hume dhunda kaise? yahi wo sawal tha jiske bare me Shaila apne dimag
me kafi der se ganit laga rahi thi

Nishkalika:- rahasya suljham unfold the secret ek aisa spell jo bol toh koi bhi sakta hai par
upyog sirf wahi kar sakta hai jo apne dushmano ko jinhe wo iss spell ke zariye dhundna
chaahta hai unse adhik shakti shaali ho Nishkalika ki baat sunkar teeno ko na sirf ye pata
chala ki Nishkalika ne unhe kaise dhunda balki saath me ye bhi pata chal gaya ki wo teeno
milkar bhi abhi tak Nishkalika ka saamna nahi kar sakte

arre ye kya hum?

Nishkalika:- hahaha tum gayab kyu nahi ho paa rahe ho yahi puchna chahti ho naa? Shaila
ko jaise hi iss baat ka ehsaas hua ki wo teeno milkar bhi Nishkalika ka saamna nahi kar
payenge toh usne teeno ko antardhayan karne ki sochi par chaah kar bhi wo ho aisa kar
nahi payi

Nishkalika:- maine ye jagah baandh di hai ab tum teeno koi bhi spell ka upyog nahi kar
sakte tumne mera prastav ko thukra kar apni mout ko swayam aamantran diya hai toh ab
marne ke liye tayar ho jaao Nishkalika ne aasman ki taraf dekha aur dono haath faila diye
aakash me kaali baadal mandrane lage aur kuch hi palon me pura aakash bijliyon ke
kadkadane se dahal utha par ye kya? aakash me aneko bijliyan utpann ho arhi thi par koi
bhi bijli neeche zamin ki taraf nahi gir rahi thi saari bijli wahi aakash ke beech me ek jagah
par apni bijli se utpann urja ko gira rahe the kuch hi der me itne saare bijiliyon ke samagam
se bani urja ka size aur power bohat badh chuka tha uss urja me itni shakti thi ki agar wo
urja virahak grah me girti toh pura grah hi fat jata iss baat ka andesha Shaila ke saath saath
Akshaant aur Mokalsar ko bhi ho gaya tha ki Nishkalika sirf un teeno ko hi nahi balki unke
pure grah ko hi khatam kar dena chahti hai

Shaila:- Nishkalika agar tum hum teeno ko maarna chahti ho toh beshak maar do par
hamare grah ne tumhara kya bigada hai jo tum isse bhi khatam karna chahti ho tumhare
iss aakraman se hamare grah ke carodon bekasur log maare jayenge

Nishkalika:- jis grah ne tum teeno ko chupaane ka dussahas kiya ho usse saza milni hi
chahiye iss grah ke samouh vinash se pure bramhaand me ye sandesh jayega ki Nishkalika
ke saamne khade hone ki galti karne ka kya parinaam hota hai Nishkalika ne dono haath
Aakash ki taraf kiye jahan bijli ke dwara paida ki gayi urja ekatrit hui thi Nishkalika ke apni
taraf point karte hi wo urja light speed se Akshaant Shaila aur Mokalsar ki taraf badhi
teeno ne upar wale ko yaad kar aankhen band kar li aisa nahi tha ki teeno ko apni mout
ko khudse dekhne me dar lagta tha par wo apne saath saath apne grah ko khandit hote
hue nahi dekh sakte the aur agle hi pal boommm par itne khatarnaak prahar ke baad jo
dhamake ki awaaz aayi wo itni bhi tivr nahi thi jitni honi chahiye thi par haan uss dhamake
ki wajah se charon taraf dhua zaroor fail gaya tha arre ye kya? asambhav Nishkalika khadi
upar aakash ke beech khadi muskura rahi thi par uski ye muskurahat zyada der tak nahi
tiki jaise hi dhua chata toh jo nazara saamne aaya usse dekhkar Nishkalika ko bhi bijli ke
jaisa hi jhatka laga grah toh door ki baat hai jis battle ground me Shaila Akshaant aur
Mokalsar khade the usse bhi kuch nahi hua tha aur rahi baat un teeno ki toh wo toh khade
khade muskura rahe the

Nishkalika:- aisa kaise ho sakta hai?

Awaaz:- jaako raakhe saaiyanmaar sake na koi jiski hifazat khuda karte hain usse koi nahi
maar sakta awaaz ko sun Nishkalika ka dimag ghum gaya ye wahi awaaz thi jisne Gluto
me bhi in teeno ko bachaya tha

Nishkalika:- aakhir kaun ho tum? kyu baar baar mere kaam me baadha daalte ho?

Awaaz:- jise tum baadha keh rahi ho usse atyachar kehte hai aur rahi baat ki main kaun
hun toh jis tarah tumne in teeno ka pata lagaya waise hi mujhe bhi dhund lo Nishkalika
spell bolne jaa hi rahi thi ki usse lord of devil ki baat yaad aa gayi

Nishkalika:- mann toh mera bhi bohat hai ki tujhe benakab kar khud apne haathon se
maarun par kya karun majboor hun

Awaaz:- fikr mat kar teri khwahish main bohat jald puri karunga hamari mulakat me ab
zyada waqt nahi hai Nishkalika ne krodh bhari aankhon se ek baar neeche khade teeno ko
dekha aur gayab ho gayi

Awaaz:- Shaila bohat jald tumhari icha puri hogi tab tak tum teeno apni aise hi abhyas
karte raho iske baad wo awaaz aani bhi band ho gayi

Shaila:- kab kya kar de pata hi nahi chalta?

Mokalsar:- Lord of Angel hai hamare soch se kahi upar uski nazar rehti hai

Akshaant:- sahi baat hai chalo hum apna abhyas punah aarambh karte hain fir kya tha
teeno pure josh se abhyas me lag gaye

Planet: Earth Place: Magic Dimension jaadui aayam

bhai aaj tujhe ho kya gaya hai? aaj tu hamari puri tarike se lene pe tula hua hai? Flosanto
toh yaad hi honge aapko arre wahi jinho ne mati bhram maidan ki rachna ki thi jinho ne
mujhe bramhaand ke saare chakravyun todne aur khud naye vyuh rachna gadhne ka
wardaan diya tha unhi ke aashirwaad se maine ek magical dimension ka nirmaan kiya hai
aur ye maine aaj nahi balki tabhi kar liya tha jab Ronit aur Anjali trained hokar laute the
training mere dono doston ka aakhri abhyas nahi tha balki wo toh bas ek shuruat thi mere
dono doston ki shaktiyon ki duniya me khud ko khojne ki main lagatar kayi mahino se
kabhi 6 toh kabhi 12 aur kabhi kabhi pure 24 ghante in dono ko alag alag training de raha
hun ab meri baat se aapke dimag me ye sawal aaya hoga ki agar ek din me itna zyada waqt
hum training me bitate hain toh fir jo itne saari cheezen iss douran hui hain wo kaise hui?
toh jaisa ki maine shuru me bataya tha ki iss waqt hum magical dimension me hain ek aisi
jagah jo hamari duniya me hokar bhi nahi hai jahan waqt ka koi kaam nahi hai hamari asli
duniya me abhi subah ke 5 baje hain hume aaj dimension world me practice karte hue
karib 12 ghante ho chuke hain jab main in dono ko lekar iss magical dimension me aaya
tha tab bhi asli duniya me 5 hi baje the in short iska ye matlab hai ki ye duniya waqt ke
bandhano se aazad hai ek aisi duniya jahan ek pal me thand ho jati hai aur dusre hi pal
garmi ek anthi n lambi choudi si jagah jahan aap jo chaahe karo uska asli duniya par koi
asar nahi padta ek tarike se isse matibhram maidan ka bada swaroop kaha jaa sakta hai
Ronit aur Anjali ne abhi tak isme aise aise prashikshan kiye hain jo shayad hi kisine pehle
kabhi ki hogi aap sabko yaad hoga ki maine apne matibhram maidan ke ek test ke douran
ek 3 headed saanp se ladhayi ki thi par Ronit aur Anjali ne ab tak ek nahi do nahi balki
teen teen baar 6 sir ke snake se ladha bhi hai aur usse har baar haraya bhi hai par aaj Ronit
aur Anjali ki haalat kharab hone ka kaaran hai mera un dono ko diya gaya new challange
technique clone combat ye naam jitna mazedar hai isme milne wali chunouti utni hi
mushkil hai aaj Ronit aur Anjali khud se hi lad rahe hain matlab aaj maine dono ke saamne
aise do maayavi insaano ki rachna ki hai jinke andar wo saare hunar wo saari vidhya
moujud hai jo Ronit aur Anjali me hain Ronit aur Anjali pichle 12 ghanton se koshish kar
rahe hain un dono maayavi chaviyon ko harane ki par abhi tak unhe zara si bhi kaamiyabi
nahi mili hai

Main:- saale sawal ko chhod ke agar tu jawab ki chinta karega tabhi tujhe kuch success
milega samjha

Ronit:- matlab

Main:- tujhe ye pata hai ki tere opponents tere har daaw ko pehle se hi jante hain kyu ki
wo tum dono ka hi ek alag roop hain toh aise me tujhe kya karna chahiye?

Ronit:- kya karna chahiye?

Main:- wo tujhe sochna hai mujhe nahi

Anjali:- yaar Vj aaj haalat kharab ho gayi hai kal sochen kya? aaj ke liye rehne dete hain

Main:- thek hai par ek baad yaad rakho ki abhi tum dono jis level par ho agar isse paar
nahi kar paye toh main tum dono ko kahi nahi le jaaunga
Ronit:- yaar ye toh galat hai?

Main:- kuch galat nahi hai aur khaas kar tere liye

Ronit:- matlab fir maine Ronit ko apne kehne ka matlab samjhaya jise sunkar Ronit ke
andar firse josh aa gaya

Ronit:- kal nahi hum aaj hi practice kare ge Anjali ka mouh Ronit ki baat ko sunkar chota
ho gaya tha

Main:- nahi aaj nahi Anjali thak gayi hai kal karte hain ab baat agar gf ki ho toh baat toh
maanni padegi hi Ronit ne thek hai keh diya hum sab magical dimension se bahar aakar
garden me chale gaye kuch der waha masti ki uske baad ghar nikal gaye ab Ronit aur Anjali
gf bf ho gaye the issliye maine dono ko ek saath ek hi car ya bike me akele college jane ke
liye keh diya tha pehle toh dono hi meri baat nahi maan rahe the par mere samjhane par
maan gaye aaj bhi maine un dono se college me direct milne ko kaha aur ghar aa gaya
ghar aakar main fresh hua nana nani mom dad ka aashirwaad liya breakfast kiya aur
college ke liye nikal gaya jahan aaj mere saath kuch naya hone wala tha

Place: College

hey guyzzz whats up?

Frndzzz:- hey Vj main college pahuncha aur sidhe canteen aa gaya aaj classes off thi par
iska reason teacher ka absence nahi tha balki kuch aur tha jo ki abhi kuch hi der me aap
sabko pata chal jayega

Ronit:- saale tu late kaise ho gaya aur uske upar call laga raha hun toh uthata bhi nahi hai?

Main:- arre ye pichle teen din se jo valentine's week ka chutiyapa chal raha hai isme jaldi
aakar koi faayda toh hona hai nahi bechare taechers college toh aate hain par khaali claas
ko kya khaak padhayenge issliye claases bhi nahi lagti saare ladke ladkiyan ya toh yaha
canteen me baithe apne apne partners set kar rahe hote hain ya fir corridors me ghum
ghum kar valentine's party ke liye apna apna jugad lagate hue dikhte hain aur saale tera
call bhi issliye nahi uthaya kyu ki mujhe pata tha ki main kuch bhi bolun par tu sunega nahi
aur jaldi se aane ki rat lagayega

Ronit:- haan toh fir yaha ye teeno apni girls talk me busy ho jati hain aur main akela pad
jata hun

Anjali:- mere hote hue bhi tujhe akela mehsoos hota hai
Ronit:- arre nahi wo toh mere kehne ka matlab hai ki agar tum teeno ke beech main
bolunga toh thek nahi hoga naa issliye main chup rehta hun par mujhe bhi toh company
ki zaroorat padti hai naa Ronit ke badle hue tone ko sun aur dekhkar hum sab ki hasi chhut
gayi

Ronit:- yaar mujhe toh bhook lag rahi hai chal kuch lekar aate hain Ronit ko maalum tha
ki ab main usko chedunga issliye usne pehle hi khisakne ki baat bhook ki aad me kar di

Main:- chal fir tum teeno ko kya kya chahiye? teeno girls ne bas coffee boli main aur Ronit
counter ki taraf chal diye hamare jane ke baad

hey guyzzz

Girlzz:- hey Shaifali tum dono ne ab tak apne partners ka naam nahi diya mujhe ye sawal
Shaifali ne Avantika aur Shanaya se pucha tha

Avantika:- partners honge toh naam denge naa maine toh pehle bhi kaha tha ki mujhe in
sab me interest nahi hai

Shanaya:- mujhe bhi

Shaifali:- no no aisa bilkul nahi chalega 1st year ke students ko toh participate karna hi
padega aur Avantika tum toh Miss fresher bhi reh chuki ho tumhare liye toh compulsary
hai aur Shanaya mujhe koi bahana nahi sunna u have to participate mujhe kal tak any how
tum dono ke partners ke naam chahiye thats it bye Shaifali bina dono ki koi baat sune
nikal gayi aisa hai ki St Stephens me har saal valentines day ki shaam ek valentines contest
ka prograame rakha jata hai jisme saare students pair me participate karte hain best
couple ko Mr & Mrs valentine banaya jata hai

Shanaya:- yaar ye Shaifali ne bhi kaha fasa diya yaar Anjali tera sahi hai baithe bithaya bf
hai tera toh koi tension hi nahi hai

Anjali:- toh tu bhi koi banda dhund le naa abhi tak kitne ladko ne tujhse puch liya haitu hi
hai jo sabko tarkaaye jaa rahi hai

Shanaya:- ab toh kisi na kisiko haan bolna hi padega idhar Avantika kuch soche jaa rahi thi
jise Anjali ne dekh liya

Anjali:- Avantika ek baat puchun?

Avantika:- tujhe kabse kuch puchne ke liye permission ki zaroorat pad gayi?
Anjali:- dekhtu iss saal ki Miss fresher reh chuki hai ab tere saath jo Mr fresher bana tha
wo toh ab raha nahi toh tu contest me kiske saath participate karegi

Avantika:- wahi toh soch rahi hun ki kiske saath jaaun?

Anjali:- main bataun? tu Vj ke saath chali jaa Anjali ki baat sunkar Avantika ki aankhen ek
pal ke liye chamak gayi par usne apne feelings ko turant control kar liya

Avantika:- Vj ke saath?

Shanaya:- u are absolutely right babes dekh Vj iss college ka sabse handsome banda hai
aur tu sabse preety ladki hai mujhse bohat zyada nahi hai par chal behan hai isliye ek point
zyada deti hun Shanaya ki baat sunkar Avantika aur Anjali hans di

Anjali:- Shanaya sahi keh rahi hai tum dono ki jodi perfect hai Anjali ki baat sunkar
Avantika ne shocked hokar Anjali ki taraf dekha

Anjali:- mera matlab contest ke liye toh mujhe lagta hai u should ask Vj

Avantika:- main kyu puchun? wo ladka hai usse puchna chahiye

Anjali:- dheere se ohh toh madam ko Vj ke puchne ka intezar hai

Avantika:- kya kaha tune?

Anjali:- kuch bhi toh nahi arre main toh ye keh rahi thi ki wo puche ya tu baat toh ek hi
hai naa

Avantika:- baat kaise ek hui? wo ladka hai usse puchna chahiye

Shanaya:- arre ab iss baat se koi fark nahi padta ki pehle ladka puchega ya ladki aur jab
baat Vj jaise bande ki hona toh late nahi karni chahiye isse pehle ki koi aur baazi maar le
puch le usse waise bhi maine ek udti udti khabar suni hai ki 1st year science section ki
Alisha kafi dino se Vj ko impress karne ki koshish kar rahi hai isse pehle ki wo ya aur koi Vj
ko puche tu mouke par chowka maar de

Anjali:- dekh Vj aa raha hai yahi best mouka hai jaldi se puch le

Ronit:- saala aaj itni bheed thi order dene aane me kafi time lag gaya

Main:- saale itna saara order karega toh banane me time toh lagega hi naa

Avantika:- Vj Ronit aur main abhi table par baithe hi the ki itne me Avantika ne mera naam
liya
Main:- haan kya hua aur kuch chahiye?

Avantika:- nahi wo actually main wo tum matlab kya main tum hum dono

Ronit:- kya koi puzzle puch rahi ho agar aisa hai toh rehne do isse sabka answer pata rehta
hai

Anjali:- tu chup karega haan Avantika kya puch rahi thi tum Vj se?

Avantika:- haan main wo tumse ye

Vj tujhe class me bula rahe hain? abhi Avantika aage kuch bolti usse pehle hi ek bande ne
aakar mujhse kaha

Ronit:- kaun bula raha hai?

Boy:- mujhe nahi pata mujhe jo bola gaya tha maine wo bata diya

Ronit:- abbe kisne kya bola tha ye toh bata? arre sun toh par wo ladka apni baat bolkar
nikal gaya

Ronit:- ajeeb chutiya character tha yaar idhar mere chehre par uss ladke ki baat sunkar ek
muskurahat aa gayi maine ek baar Avantika ki taraf dekha aur fir Ronit se kaha

Main:- haan ladka tha toh chutiya par fir bhi kuch sikha gaya

Ronit:- hain ab wo kya sikha gaya bhai?

Main:- yahi ki bhale ulti sidhi nonsense se bhari anbhujhi hi sahi par har baat sahi waqt
par keh deni chahiye warna der ho jati hai

Ronit:- Prabhu aapke parables mere dimag ko samjh nahi aate

Main:- sab samjh jayega abhi chal class se aate hain aap sab yahi baithkar apni girls talk
continue kijiye hum aate hain ye bolkar main aur Ronit class ki taraf nikal gaye abhi hume
gaye kuch do minute hi hua tha ki wahi ladka jo mujhe class jane ko bolne ke liye aaya tha
wo waapas hamari tables ke baaju ki table par aaya aur waha baithe kuch students ko
kuch batane laga uski baat sunkar meri teeno frndz ko jhatka laga wo teeno ek jhatke me
khadi huin aur hamari class ki taraf doudin aur jaise hi teeno class ke andar enter hui teeno
ke pair saamne chal rahe scene ko dekhkar jam gaye scene kuch aisa tha ki mere charon
taraf students khade the mere right me Ronit muskurata hua khada tha par ye teeno girls
ko lagne wale jhatke ki wajah nahi thi jhatke ka reason mere saamne khada tha ya yun
kahu khadi thi iss waqt mere saamne wahi ladki khadi thi jiske bare me Shanaya baat kar
rahi thi Alisha

Alisha:- Vj will u be my valentine ye bolkar Alisha ne apna haath mere aage badha diya
maine ek baar Avantika ki taraf dekha aur fir saamne jahan iss waqt Alisha ek ummid
lagaye haath badhaye meri taraf dekh rahi thi

Main:- yes

Planet: Monslickel Place: Asmodeus palace hi hail father

kaise ho Beelzebub?

Beelzebub:- thek hun father

asal me Beelzebub Asmodeus aur Alesandra ka beta aur uska chupaya gaya dusra sabse
bada raaz hai kaise? chaliye batata hun

Flashback narration:

Asmodeus se pehli baar milkar jab Alesendra apne grah Isla wapas louti toh unhone
Asmodeus ke bare me jitna usse pata tha utna bata diya apni beti ki baaton ke piche chupe
pyar ko uske pita king Solomon bhaamp gaye wo ye jaankar kafi khush hue ki unki beti ko
pyar ho gaya hai par unki khushi zyada der tak tik nahi payi unhone apne beti ke dimag se
Asmodeus ki chavi nikali par jo chehra unke saamne aaya usse dekhkar unhe ek tez jhatka
laga Alesendra ne toh duniya nahi dekhi thi par king Solomon ko toh pure brahmaand ke
sabhi badi cheezon ke bare me pata tha unki beti ne shaitano ke devta ko chuna hai ye
jaankar unki aankhon ke aage andhera chaa gaya unhone jab apni beti ko iske bare me
bataya toh Alesendra ko yakin nahi hua Alesendra sachhai janane ke liye Asmodeus ki khoj
me firse nikalne wali thi par tabhi Asmodeus Alesendra king Solomon aur unki wife ke
saamne prakat hua Asmodeus ne Alesendra ko bataya ki jo kuch bhi uske pita ne uske
bare me kaha hai wo sach hai fir Asmodeus ne king Solomon ko kaha ki agar wo uski
shayadi Alesendra se kara denge toh wo saare bure kaam chhod dega burayi keh rahi thi
ki ab wo burayi nahi karegi ye hona toh asambhav tha par putri prem me andhe king
Solomon Asmodeus ki baat maan gaye par unke maanne ki ek wajah aur bhi thi king
Solomon ko ye pata tha ki shaitano ka devta hone se pehle Asmodeus God ka beta bhi hai
toh shayad unki beti ke prem ki wajah se Asmodeus ke andar ki achayi firse jaag gayi ho
yahi sochkar unhone shayadi ke liye haan keh diya par king Solomon ye nahi jante the ki
Asmodeus ka unki grah me aane ka asli kaaran kuch aur hai world of warriors ke baad
Asmodeus ka plan Isla grah jane ka hi tha Asmodeus ko Isla grah me ek aseem urja ka
aabhas ho gaya tha aur jab Alesendra ko Asmodeus ne pehli baar dekha tab hi wo jaan
gaya tha tha ki Alesendra kaun hai aisa nahi tha ki Asmodeus ko Alesendra achi nahi lagi
thi par uski shakti ki bhook ke aage uski mohobbat ki aag feeki pad gayi tabhi usne decide
kar liya tha ki Alesendra se shayadi kar wo Isla ki uss shakti ke shroth ka dhundega
Asmodeus aur Alesendra ki shayadi ho gayi aur kuch hi mahino me Alesendra pregnent
bhi ho gayi iss beech Asmodeus ko Isla ke uss shakti shroth fountain of light ke bare me
bhi pata chal gaya tha wahi Isla grah jo ki white energy ke aadhin tha Asmodeus ke aane
ki wajah se iss grah ki neev dagmagane lagi Isla ke log jo hamesha tandarust rehte the
unke sharir me rogon ka vaas hone laga king Solomon ko doubt ho gaya tha ki in sab ke
peeche Asmodeus ki upastithi hi wajah hai par wo directly kuch bol nahi sakte the unhe
ye bhi lag gaya tha Asmodeus ne unse jhoot bola hai usne abhi tak kaali shaktiyon ka tyag
nahi kiya hai shak toh Alesendra ko bhi ho gaya tha par wo bhi chup hi rehti thi ek din jab
Asmodeus king Solomon aur Alesendra ke saath fountain of light ke saamne gaya toh uske
pahunchne se pehle hi fountain of light gayab ho gayi fountain of light white energy ka
pratik thi uske gayab hone se king Solomon aur Alesendra ko yakin ho gaya ki ye sab
Asmodeus ki wajah se hi hua hai wahi itne mahino se jisko paane ki khwahish liye wo iss
grah me ruka hua tha uss fountain ko gayab hua dekh Asmodeus ko bhi ghussa aa gaya
aur agle hi pal Asmodeus apne asli roop me tha sar se lekar pair tak andheri raat se bhi
kaale kapde chehra barf se bhi zyada safed aakhon ki putliyan sweth ho chuki thi
Asmodeus ke asli roop ko dekh kar Alesendra aur king Solomon ki haalat kharab ho gayi
Asmodeus ki aankhon ki putilyon ka colour ek second ke liye badalkar laal ho gaya aur
agle hi pal pura Isla grah aag se jal utha

King Solomon Asmodeus ke pairon me gir gaye aur apne grah ko nuksaan na pahunchane
ki Asmodeus ke aage bheek maangne lage Asmodeus ne ek lambi saans chhodi jaise ki
apne ghusse ko pi gaya ho Asmodeus ke aisa karte hi aag bhujh gayi Asmodeus ne bohat
koshish ki fountain of light ke bare me pata lagane ki par nahi laga saka par ab Asmodeus
apne asli roop me aa chuka tha uske sharir se paap ki tarange nikalkar pure Isla grah me
failne lagi Isla ki bholi bhaali praja ke dil me bhi ab chalkapat paap panapne laga ye sab
dekhkar king Solomon kafi dukhi rehne lage wahi Alesendra ke dil me bhi Asmodeus ke
liye nafrat palne lagi Alesendra ko ek aur baat ka bhi dar tha ki kahi uska beta bhi
Asmodeus ki hi tarah na ho jaye kuch din baad Alesendra ne Asmodeus ko Isla grah ko
chhod kar chale jane ko kaha aur fir kabhi na lout kar aane ka vachan liya jise sunkar
Asmodeus muskuraya Asmodeus ne Alesendra ki baat maan li par saath hi ek shart rakhi
aur gayab ho gaya tab jaakar kahi Alesendra aur pure Isla grah ne chain ki saans li
Alesendra ne decide kiya ki wo apne bacche ko ache sanskar dekar ek acha insaan
banayegi par wo ye nahi janti thi ki saanp ka beta kabhi bhi hiran nahi hota aakhir wo din
bhi aa gaya jis din Alesendra maa banane wali thi iss awasar par Isla ke raaj Guru aur
Defender bhi aaye hue the yaha main ek baat bata dun ki warriors world ke Defender ke
saath jo kuch bhi hua uske baad Gods messenger ne har grah ke Defender ko Asmodeus
se naa ulajhne ke aadesh diye the Asmodeus ka bachha amavasya ki raat paida hua aur
wo bhi uss mouhurt me jise sab kaal mouhurt kehte the par baat yahi pe khatam nahi hui
Asmodeus ka bacha bhi Asmodeus ki hi tarah barf sa safed tha aur uski bhi aankhon ki
putliyan gaayab thi uske paida hote hi uske sharir ke upar Asmodeus ki hi tarah kaale
kapde aa gaye the Alesendra aur uske maata pita ye sab dekhkar kafi dar gaye the aur rahi
sahi kasar Raj Guru ne puri kar di Raj Guru ne sabko bataya ki ye bacha aage jaakar Isla ke
liye khatarnaak saabit hoga iska iss grah par rehna thek nahi hai Raj Guru ki baat sunkar
Alesendra aur uske mata pita ka dimag ghum gaya kisi ko bhi kuch samjh nahi aa raha tha
ki wo kya kare ki tabhi mahal me tez hawayen chalne lagi wo kaali andheri raat aur andheri
ho gayi aur Asmodeus ka bachha hawa me uth gaya abhi koi kuch samjhta usse pehle hi
mahal me Asmodeus ki awaaz gunj gayi Asmodeus apne waade ke anusar Isla nahi gaya
tha par wo uss bache ko apne paas rakhna chahta tha usne Alesendra se apne bete ko
maanga Alesendra ye chahti toh nahi thi par uske paas koi option bhi toh nahi tha issliye
usne Asmodeus ko haan kehdi aur agle hi pal wo bacha gayab hokar Asmodeus ke paas
pahunch gaya

Flashback ends:

Asmodeus:- kuch pata chala?

Beelzebub:- nahi father sab kuch waisa hi hai jaisa pehle tha

Asmodeus:- par maine kuch mehsoos kiya tha?

Beelzebub:- mehsoos toh maine bhi kiya tha par jab main waha pahuncha toh sab kuch
pehle jaisa hi tha

Asmodeus:- koi baat nahi tum bas nazar rakhe raho kya tum tumhari maa se baat karte
ho?

Beelzebub:- kya father aap toh sab jante hain fir bhi

Asmodeus:- hmm par kya tumhe kabhi icha nahi hoti usse batane ki ki tum uss ke bete
ho?
Beelzebub:- nahi father aur waise bhi wo achai ki God ki puja karti hain aur main aapki
hum dono ke soch ki neev hi itni alag hai ki mujhe unme apnepan wala ehsaas hi kabhi
nahi hota par haan jab unhone apke bhai ko sharan di thi tab mujhe unpe bohat krodh
aaya tha mann toh kiya tha ki unhe aur aapke bhai ko ek saath khatam kar dun par
majboor tha apke aise karne ke aadesh naa the

Asmodeus:- tum usse haani toh pahuncha sakte ho par maar nahi sakte hum dono ki
mrityu ek dusre ke haathon hi ho sakti hai aur kisike nahi

Beelzebub:- ek baat puchun father?

Asmodeus:- pucho?

Beelzebub:- aapke bhai ne aap se itni saari baatein kahi aapko galat teharaya par aapne
palat kar jawab nahi diya aisa kyu?

Asmodeus:- jawab tumhare sawal me hi hai bhai issi shabd ki wajah se usse bolne diya
chota bhai hai choti choti cheezon me jeetkar khush hone do aur waise bhi wo roshni ke
jaisa hai aur roshni ko roshan nahi kiya jata zindagi ki haqiqat har kisike liye alag alag hoti
hai par jo apni haqiqat ko khoj ussi raaste par ek dridh nishchaye ke saath chalne lagta hai
jeet ussiki hoti hai

Beelzebub:- aapka ansh aapka khoon hone ki wajah se maine naajane kitni hi shaktiyan
haasil ki kitni siddhiyan prapt ki par aaj tak aapki baaton ke piche chupe raaz ka pata nahi
laga paya

Asmodeus:- hahaha kuch baaton ko samjha nahi jata unpar aankh band karke amal kiya
jata hai jis din tum un baaton ko amal me le aaoge uss baat ka matlab apne aap hi samjh
jaaoge

Beelzebub:- kya aapke bhai bhi aapki hi tarah baatein karte hain

Asmodeus:- hmm kuch kuch tujhe ek kaam karna hai Asmodeus ke mouh se achanak kaam
sunkar Beelzebub jo ab tak casually baat kar raha tha wo satark ho gaya

Beelzebub:- aadesh de father Asmodeus ne Beelzebub ko uska kaam bataya

Beelzebub:- jo aagya Beelzebub ne sar jhukayea aur gayab ho gaya

Asmodeus:- dekhte hain bhai jab tera waqt aayega toh tu kya karega?

Planet: Earth Place: College Canteen


hey guyzzz hey Vj abhi mere frnds shayad aur bhi kuch kehte par mere saath Alisha ko
dekhkar wo sab shocked ho gaye issliye chup ho gaye subah ka waqt hai kal hi ki tarah aaj
bhi classes nahi lagi thi Anjali aur Ronit ek saath aaj college aaye the aur main aaj bhi kal
hi ki tarah thoda late aaya tha kal hue incident ke baad Anjali aur Shanaya ne mera dimag
khaa liya tha dono ne ek ghante tak meri Alisha ko haan kehne ki baat ko alag alag tarike
se verify kiya tha unhe yakin hi nahi ho raha tha ki main kisi ko itni aasani se haan keh
sakta hun wo bhi uska valentine partner banane ke liye iss beech ek baar Ronit ke mouh
se nikal gaya ki toh kya hua yaar Alisha hai bhi toh kitni hot Ronit ke mouh se ye baat
nikalte hi Anjali ne uski haalat kharab kar di thi bohat mushkil se Ronit ne Anjali ko manaya
tha par uski class khatam hui nahi ki un dono ne ek baar firse meri class lene shuru kar di
iss pure douran Avantika chup hi rahi uska chehra bilkul emotionless sa ho gaya tha idhar
jab in dono ke mouh band nahi hui toh maine unse kaha ki kisike saath toh jana hi tha toh
Alisha me kya burayi hai meri baat ka unke paas koi jawab nahi tha issliye dono chup ho
gaye main kabhi bhi kisi aur ke saath kabhi hang out karta nahi tha issliye abhi mujhe
alisha ke saath dekhkar sabhi firse shocked ho gaye the

Main:- abbe bhoot dekh liya kya tum teeno ne?

Ronit:- bhoot hi dekh liya lag raha hai mujhe toh aaj mera dost ek ladki ke saath aa raha
hai

Main:- haan toh isme kya badi bat hai main ladki ke saath nahi aa sakta kya? sit Alisha
maine Alisha ke liye ek chair piche ki aur wo baith gayi

Alisha:- hi guys & sorry haan meri wajah se hi aapka friend aaj late aaya hai

Anjali:- matlab Alisha ki baat sunkar baaki sabko bhi ek jhatka laga

Main:- tum sab ke manners kaha gaye pehle uske hi ka toh jawab do

Sab:- hi

Aajali:- haan ab batao Anjali ki excitement dekhkar main zor se hans pada

Anjali:- daant dikhana band kar nahi toh tod dungi haan tumne bataya nahi tumhari wajah
se Vj kaise late hua?

Alisha:- haan wo actually aaj main Vj ke saath hi aayi hun naa toh isne pehle mujhe pick
kiya fir hum aaye iss chakkar me thoda late ho gaye Alisha ki baat sunkar sabke mouh
khule ke khule reh gaye
Anjali:- Vj ne tumhe pick kiya wo bhi tumhare ghar se

Alisha:- haan toh isme itna surprise hone ki kya baat hai

Ronit:- surprise ye toh chamatkar wali baat hai Vj ne hum dono ko chhodkar aajtak kisi ko
bhi ghar jaakar pick nahi kiya

Alisha:- I guess I am lucky then

Ronit:- lucky nahi bohat zyada lucky bhai ek baat bata Alisha sirf valentine partner hai ya
fir teri valentine hai?

Alisha:- abhi tak toh partner hi hun but future ka who knows?

Ronit:- matlab ek taraf aag jal gayi hai kyu?

Anjali:- chupkar aur Alisha kuch apne bare me batao? tumne kafi late admission liya hai
naa infact shayad do hi mahine hue hain tumhe college aaye hue aur tum toh science me
ho naa usme mid term admission milna quite tough hai

Alisha:- haan wo actually dad government job me hain unka transfer yaha ho gaya iss
college ke bare me maine bohat suna tha mere marks ache the issliye mujhe admission
milne me koi dikkat nahi aayi

Anjali:- ohh aur itne ladkon ke beech tumne Vj ko hi kyu chuna apne valentine partner?
tum toh ho bhi kafi beautiful tumhe toh koi bhi haan bol dega

Alisha:- are you serious tum puch rahi ho ki maine best ko kyu chuna? inke aage aur koi
hai toh bata do main usse chun lungi

Avantika:- Alisha pasand best dekhkar nahi kiya jata jise pasand kiya jata hai wo hamare
liye best ho jata hai Avantika ne ye baat mujhe dekhkar kahi

Alisha:- jo har cheez me best ho kya wo partner ke taur par bhi best nahi ho sakta

Ronit:- ye bhi sahi hai waise Shanaya Avantika tum dono ko bhi ab apne apne partners
dhund lene chahiye valentines day ko bas do din hi bache hain

Shanaya:- mera toh ho gaya

Ronit:- kya? kab? aur tune bataya bhi nahi?

Shanaya:- Anju ko toh bataya tha mujhe laga wo tujhe bata degi

Ronit:- Anju tune mujhe nahi bataya


Anjali:- arre mere dimag se nikal gaya aur waise bhi usne valentine contest me participate
karne ke liye partner chuna hai life partner banane ke liye nahi

Ronit:- waise hai kaun?

Main:- Vincent Paul hamare hi class ka hai abhi Shanaya kuch kehti isse pehle maine bol
diya

Shanaya:- how do u know? maine toh kuch bhi nahi bataya

Ronit:- isse tu kuch bhi nahi chhupa sakti isse sabke bare me sabkuch pata rehta hai

Avantika:- dheere se ghanta pata rehta hai

Main:- kya kaha Avni? Avantika mere sawal par hadabada gayi

Avantika:- kuchh bhi toh nahi

Main:- tumhari awaaz kyu atak rahi hai?

Avantika:- wwwoo kuch atak gaya tha aur paani peene lagi

Main:- wo tumhare gale ka ghantai mean ghanti fas gayi hogi meri baat sunkar Avantika
ke mouh me bhara paani bahar aa gaya aur wo khaasne lagi

Shanaya:- aaram se babes Avantika ne meri taraf dekha par mujhe dekhte hi usse sharm
aayi usse pata jo chal gaya tha ki usne jo dheere se bola tha wo maine sun liya tha

Shanaya:- waise kal Avni ko bhi kafi logon ne valentine ke liye approach kiya tha

Anjali:- toh isme kaun si nayi baat hai madam ko toh ek mahine se commerce science
maths aur arts department ke bande bhi puch rahe hain par madam kisiko haan kahe toh
naa

Ronit:- haan yaar Avni ab toh waise bhi sirf do hi din baaki hai tune abhi tak kisiko final
nahi kiya aise me toh hamara group valentine's party me adhura reh jayega

Anjali:- exactly bilkul bhi maza nahi aayega bhale koi bhi jeete par agar hum sab
participate karte toh kitna maza aata

Alisha:- ya babes u have to say yes to someone

Shanaya:- arre meri puri baat toh suno kal bhi hamesha ki hi tarah Avni ne kafi ladko ko
reject kiya par last me ek banda aaya usne bhi Avni ko approch kiya banda kafi smart tha
par mujhe laga ki madam isse bhi mana kar dengi par
Anjali:- Avantika maan gayi kya?

Shanaya:- thodi thodi

Ronit:- ab ye kua logic hua?

Shanaya:- matlab Avni ne usse soch kar bataungi aisa kaha hai

Anjali:- ye tune bilkul theek kiya babes in ladko ko naa thoda tadpaakar hi haan bolna
chahiye warna inhe hamari kadar hi nahi rehti ye baat Anjali ne Ronit ko dekhkar kahi thi

Ronit:- lai ab maine kya kiya?

Anjali:- kya kiya valentines week ko start hue aaj 5 din ho gaye hain in 5 dino me tumne
mujhe sirf ek hi gift diya hai baaki ke for kaha hain?

Ronit:- arre tune hi toh kaha tha ki tujhe ye 7 din ke 7 gifts ka funda samjh nahi aata tujhe
ye sab bas show off lagta hai issliye maine 1st day ke baad tujhe kuch nahi diya

Anjali:- maine bola aur tune maan liya tere paas apna dimag nahi hai kya? Anjali ki baat
sunkar jahan teeno ladkiyan hans rahi thi wahi Ronit bechara wala mouh banakar meri
taraf dekhne laga

Main:- yahi ishq hai bacche thank God hum single hi acche meri baat sunkar sabhi hans
diye

Anjali:- waise uss ladke ka naam kya hai? aur kaun se branch se hai?

Shanaya:- Maths branch se hai aur naam hai Utkarsh

Alisha:- kya naam bataya tumne?

hi guyzzz hi Avantika abhi Alsiha ke sawal ka Shanaya jawab deti usse pehle hi ye awaaz
hamare kaano me padi hamare saamne ek handsome sa banda khada tha

Avantika:- hi Utkarsh ye wahi ladka hai doston jisne Avantika ko approch kiya tha

Utkarsh:- Avantika tumne kuch socha jo maine kaha tha uske bare me will u come with
me to the valentine's party as my valentine Avantika ne ek baar muskurakar meri taraf
dekha aur fir saamne Utkarsh ki taraf dekhne lagi jo Alisha ki hi tarah ek ummid liye
Avantika ki taraf dekh raha tha

Avantika:- yes
congrattttsss aur fir kuch aisa hua ki mere saare dost including Avantika shocked ho gaye
ye jo congratts shabd abhi abhi uccharit hua tha naa ye Alisha ne kaha tha aur ye usne
Avantika se nahi balki Utkarsh se kaha tha par shock hone ka kaaran ye tha ki ye bolkar
Alisha Utkarsh ke gale lag gayiii jise dekhkar mere friends shocked ho gaye

Shanaya:- Alisha tu Utkarsh ko janti hai kya?

Ronit:- ye kaisa sawal hai of course janti hogi tabhi toh usse hug kiya hai ye puch ki kaise
janti hai?

Alisha:- kisiko kuch bhi puchne ki zaroorat nahi hai main batati hun ki main isse kaise janti
hun so guys naam toh aap sab iska jante hi ho Utkarsh aur mujhse zyada isse aur koi nahi
janta kyu ki ye mera bhai hai

Planet: Mirror World Place: Infront of three mirrors

Mirror world ye grah bhi ek anbhujhi peheli jaisi hi hai father se najane kitni baar puch
chuka hun iss grah ke bare me par unke jawab toh sawal se bhi zyada uljhe hue hote hain
Asmodeus ne apne bete Beelzebub ko mirror world hi bheja tha kyu kuch hi der me aapko
pata chal jayega

Beelzebub:- khair kabhi na kabhi toh iske bare me jaan kar hi rahunga filhal father ne jis
kaam ke liye bheja hai wo toh kar lun par aaj kayi dino baad maza bohat aayega mirrors
ke saamne ek mark tha jahan har aane wale ko khada hona padta tha (Mirror world ke
bare me apko kahani ke 3rd aur last chapter me pata chalega) par Beelzebub kisi bhi mark
ke saamne khada nahi hua balki usne apne haath aage kar diye Beelzebub ke haathon se
ek saath 3 bijliyon ki rays nikli aur teen mirrors par padi krrrrr mirrors par rays takraate hi
ek ajeeb si awaaz hui par ye kya teeno mirrors waise hi the bijliyon ke takraane se unme
koi fark nahi aaya par usse bhi ajeeb ye tha ki ye sab dekhkar bhi Beelzebub ke chehre par
shock nahi balki ek muskurahat thi jaise ki usse pata tha ki yahi hone wala hai ki tabhi
teeno mirrors ke beech ek tez prakash hua aur uss prakash se ek electical rassi nikli aur
Beelzebub ki taraf badhi uss electical rassi ki speed kafi tez thi par Beelzebub usse apni
taraf aata hua aaram se dekh raha tha par uske chehre par ab bhi koi tension nahi dikh
raha tha wo apni jagah par apne kamar par haath tikaye khada tha uss electrical rassi ne
Beelzebub ko charon taraf se jakad liya aur agle hi pal mirrors ne Beelzebub ko apne andar
kheench liya Beelzebub beech wale mirror ke andar se hota hua mirror world ke andar
daakhil ho gaya ab Beelzebub mirror world ki duniya ke andar khada tha aur idhar udhar
dekh raha tha maano kisi ka intezar kar raha ho ki tabhi Beelzebub se thodi door ek tez
bijli kadki aur zamin par giri zameen pe bijli ke girte hi waha dhua sa uth gaya aur jab wo
dhua chatta toh waha koi khada tha jise dekhkar Beelzebub ki muskaan aur gehri ho gayi

Beelzebub:- aao Agrasena aao main tumhara hi intezar kar raha hun wahi Beelzebub ke
saamne khade Agrasena ke chehre par krodh ke bhaav the

Beelzebub:- arre arre ye kya chehre par itna ghussa lagta hai tumhe mera yaha aana acha
nahi laga par fir bhi ye galat baat hai mehmaan pasand ho ya naa ho par uska uchit swagat
karna tumhara kartawya hai

Agrasena:- kartavya ki baat tum na hi karo toh acha hoga Beelzebub Asmodeus ke gande
khoon ka kabhi bhi kisi pavitra jagah par swagat nahi ho sakta apne pita ke bare me aisi
baat sunkar ek pal ke liye Beelzebub ko ghussa aa gaya par agle hi pal usne khud ko shaant
kar liya

Agrasena:- maanna padega abhi tak tumhe meri batayi hui baatein yaad hain

Beelzebub:- kisi zamane me tum mere Guru the aur Beelzebub apne faayde me aane wali
cheezon ko kabhi nahi bhulta ji haan dosto kisi zamane me Agrasena Beelzebub ka Guru
tha issi mirror world me Beelzebub ko ek nahi balki do mirrors ne chuna tha

Agrasena:- theek apne pitah ki tarah bas ek fark hai Asmodeus jis cheez se faayda hota
hai wo naa sirf usse yaad rakhta hai balki uss cheez ke shroth ko paane ki bhi koshish karta
hai

Beelzebub:- toh isme galat kya hai? shakti hi jeevan hai

Agrasena:- dusron ki khushi cheenkar jo zindagi milti hai usse jeevan nahi shaapit jeevan
kehte hain par tum ye nahi samjhoge khair tum apne aane ka kaaran batao

Beelzebub:- yudh main aapse yudh karna chahta hun Beelzebub ki baat sunkar ek pal ke
liye Agrasena chonk gaya par agle hi pal muskurate hue usne kaha

Agrasena:- kya main iska kaaran jaan sakta hun?

Beelzebub:- bas mann kar raha hai aapko chunouti dene ka

Agrasena:- tum bilkul apne baap ki tarah ho Beelzebub kuch bhi bina kaaran ke nahi karte
par main ye bhi janta hun ki tum mujhe wo kaaran nahi bataoge thek hai mujhe tumhari
chunouti manzoor hai par meri ek shart hai

Beelzebub:- manzoor hai


Agrasena:- bina shart sune?

Beelzebub:- aapki yahi shart hai naa ki agar aap jeete toh main iss grah par kabhi bhi
dobara kadam na rakhun Agrasena Beelzebub ki baat sunkar chonk gaya kyu ki Agrasena
wahi kehne wala tha jo abhi abhi Beelzebub ne kaha tha

Agrasena:- tumhe kaise pata ki main kya kehne wala tha?

Beelzebub:- humari baaton me hi hamare sabhi sawalon ke jawab chupe hote hain kya
Guru ji aap toh apni hi di hui shiksha bhul gaye aap hi ne toh thodi der pehle kaha tha naa
ki main bilkul apne father ki tarah hun jab unse kisi ke dil ki baat nahi chupti toh mujhse
kaise chupegi khair mujhe aapki shart manzoor hai par

Agrasena:- tumhari bhi ek shart hai kyu? yahi naa Agrasena ne Beelzebub ki aage ki baat
puri ki par uski baat ko sunkar Beelzebub ke honthon par ek muskaan naach gayi

Beelzebub:- main kaun hota hun aapke saamne koi shart rakhne wala Guru dev meri toh
bas ek chota sa nivedan hai agar aap maan le toh aapka upkaar hoga

Agrasena:- pehle tum apni baat rakho phir main bataunga ki tumhari baat maanni chahiye
ya nahi

Beelzebub:- aap toh itne shakti shali hain main bas yahi chahta hun ki aap mujhse apni
shaktiyon ke bal par laden

Agrasena:- main samjha nahi

Beelzebub:- aapke paas ye jo sword hai main chahata hun ki aap iski shakti ka prayog mere
saath yudh me naa kare warna aap jeet kar bhi vijeta nahi kehlaayenge kyu ki wo jeet iss
sword ki aapko di gayi bheek hogi Agrasena Beelzebub ki baat sun kar bhadak gaya

Agrasena:- tumhe lagta hai ki mujhe tumhe harane ke liye iss sword ki zaroorat hai thek
hai main tumhe vachan deta hun ki hamare beech jo yudh hoga usme main iss sword ka
upyog nahi karunga ye bolkar Agrasena ne apni miyaan apni peeth se nikali aur fek di par
miyan niche zamin par nahi giri balki hawa me hi jhul gayi

Agrasena:- tayar ho

Beelzebub:- hamesha Agrasena ne aakhen band ki aur agle hi pal Agrasena ke sharir ke
andar se ek ke baad ek saikdon shastra nikle par ye kya wo shastra bas ek pal ke liye hi
dikhe agle pal wo sab gayab ho gaye ye ek anokha jaadu tha isme ek pal ke liye prati
dwandi ko saare shastra apni taraf aate hue dikhte hain par agle hi pal saare shastra gayab
hokar alag alag disha me bant gaye saamne wale ko lagta hai ki saare shashtra aage se aa
rahe hain aur uska saara dhayan saamne ki taraf hi rehta hai par saare shashtra charon
taraf se ek saath wapas ghum kar ussi pratidwandi ki taraf adrishya haalat me hi waapas
aate hain Agrasena ke pehle waar se Beelzebub ke chehre par ek halki si muskaan aa gayi
maano usse pata ho ki Agrasena ne kya chaal chali hai Beelzebub ne apni aankhen band
kar lin aur Agrasena dwaara chhode gaye saare shashtron ko mehsoos karne laga saare
shashtron ko apne charon taraf mehsoos kar Beelzebub ne apne right hand ki index finger
ko gol gol ghumaya maaya khandamm magic break par ye ek maatr spell nahi tha jo
Beelzebub ne bola tha right hand ke fingure ko gol ghumane ke saath saath Beelzebub ne
kuch aur bhi kuch kiya tha Beelzebub ne apne dusre haath ko neeche rakhe hue left hand
ke index finger ko bhi gol gol ghumaya aur kaal paasham devil's bondage pehle spell ke
ucharit hote hi Agrasena ke chhode gaye shashtra apni jagah par hi jal gaye Agrasena ka
saara dhayan Beelzebub ke right hand ki taraf tha apne shashtron ko jalte dekh Agrasena
zyada shock nahi hua kyu ki wo janta tha ki sirf ek hi waar se Beelzebub ko haraya nahi
jaa sakta issliye apne waar ko khali jaate dekh Agrasena ne turant apni aakhen band kar
dusra spell bolne ki koshish ki koshish issliye kyu ki wo spell bolne me kamiyab nahi ho
paya kyu ki Beelzebub ke bole hue dusre spell ne apna kaam kar diya tha mmm mmm

Agrasena:- tum apni harkaton se baaz nahi aaye haina Beelzebub ladna tha toh bal se
ladte yun chhal karne ka kya matlab hai? hua ye ki Beelzebub ke bole gaye dusre spell ke
prabhav me aakar Agrasena ek kaale ray ke bandhan me bandh gaye the jaisa ki maine
bataya tha ki Agrasena ka pura dhayan saamne ki taraf tha aur Beelzebub ne jaise hi apna
dusra spell bola ek kaala duan jo ki kaal paash tha Agrasena ke piche prakat hua aur kisi
ajgar ki tarah Agrasena ko apne ghere me lapetatha chala gaya

Beelzebub:- yudh me bal se zyada ghaatak chal hota hai isse hamesha satark rehna
chahiyeye shiksha bhi aap hi ki di gayi thi Guru dev aur aaj aap khud hi ye sab bhul gaye
aur uske upar mujhe dosh de rahe hain iss bramhaand ki sabsi kathin aur sarvoch shiksha
mujhe mere father ne di hai aur unke mutabik bhale kisi bhi tarah se kyu na mili ho jeet
jeet hoti hai

Agrasena:- toh ab intezar kiska hai? maar do mujhe

Beelzebub:- thek kaha aapne mujhe aur vilamb nahi karna chahiye Beelzebub ne haath
aage kiya aur agle hi pal uske haath me ek swrod aa gayi Beelzebub uss sword ko haath
me pakde chalte hue Agrasena ke saamne khada ho gaya aur soobh Beelzebub ki talwar
tezi se chali aur arre ye kya Beelzebub ne sword chalayi toh zaroor par usse Agrasena ke
gale ke paas laakar rok di

Beelzebub:- hahaha mujhe murkh samjha hai aapne Guru dev mujhe gyat hai ki mere
talwar aapke garden ke aar paar karte hi kya hoga? apki ye jo sword iss waqt hawa me
latki hui hai wo aapke haath me aa jayegi aur aap punah jeevit ho uthenge aur kyu ki
maine aap par jaan lewa vaar kiya hoga issliye aap mujhpe iss sword se humla kar sakenge
aur mujhe maar denge par aisa hoga nahi Agrasena mujhe pita ji ne yaha sabkuch bata
kar bheja hai unhone mujhe aapko iss kaal paash me baandhne ka aadesh diya tha maarne
ka nahi maine apna aadha kaam toh kar diya hai aadha baaki hai Beelzebub ka ab bhi koi
kaam baaki hai ye sunkar Agrasena shocked ho gaya

Beelzebub:- main janta hun ki aap kya soch rahe hain par chinta mat kijiye sab pata chal
jayega ye jo talwar mere haathon me hai na aisse maine aapko darane ke liye nahi rakha
hai balki mere dusre kaam ko anjaam dene ke liye rakha hai Beelzebub ne jo talwar pakdi
thi usse hawa me latakti hui Agrasena ki sword ki taraf fenk diya Beelzebub ki sword
Agrasena ki sword ke thek saamne hawa me ruk gayi Beelzebub ki sword se ek roshni nikli
aur Agrasena ke sword ke upar jaakar ruki aur fir wo roshni Agrasena ke sword ke upar se
niche tak ghumne lagi maano usko scan kar rahi hai aur pura scan karne ke baad wo roshni
Beelzebub ke sword ke upar gayi aur ek chaadar ki tara Beelzebub ke sword ko odhti chali
gayi aur agle pal Agrasena ki aankhen me shock aur chinta dono bhaav naachne lage shock
issliye kyu ki ab Beelzebub ki sword hon bahu Agrasena ki sword jaisi dikh rahi thi tension
issliye kyu ki Agrasena jaan gaye the ki aisa karne ke piche Beelzebub aur Asmodeus ka
zaroor koi khaas maksad hoga wahi Beelzebub ne fir kuch kiya Beelzebub ne ek mayavi
diwal banayi aur dono swords ussi diwal par tanga diya uske baad usne aur ek spell bola
dono swords ke saamne ek ek darwaza ban gaya par agle hi pal gayab bhi ho gaya

Beelzebub:- ab main chalta hun Guru dev par usse pehle ek aakhri kaam reh gaya hai wo
kar leta hun Beelzebub ne Agrasena ki taraf apni ek ungli uthayi aur usse ek taraf point
kar diya jis kaal paash se Agrasena bandhe hue the Beelzebub ke ishara karte hi wo paash
Agrasena ko liye ek jagah paahunche aur fir Agrasena gayab ho gye

Beelzebub:- chalo father dwara diya gaya kaam toh pura hua ab chala jaye Beelzebub
adrishya ho gaya aur

Beelzebub:- arre main yaha kaise pahunch gaya? Planet: earth

Place: College Auditorium


yaar sabhi ne saare dance forms choose kar liye hain ab hum kya kare? subah ka waqt hai
main aur mere saare frndz iss waqt college ke auditoruim me hain kal Alisha ne jab kaha
ki Utkarsh uska bhai hai toh mere frndz shock ho gaye ye bhi un sabke liye ek ajeeb co
incidence tha ki mere aur Avantika ke valentine partner siblings nikle khair kuch der me
hi Utkarsh humse ghul mil gaya Avantika kafi openly Utkarsh se baatein kar rahi thi Ronit
aur Anjali ne iss baat par zyada dhayan nahi diya par Shanaya Avantika ke aise bartaav se
kafi shocked thi kyu ki Avantika kafi reserved type ki ladki hai aur suddenly kisi bande ke
saath jise wo bas kal hi mili hai itna open ho jana wakayi Shanaya ke liye ye shocking baat
thi par usne socha ki kyu ki valentine's day ko sirf do hi din bache hain issliye shayad
Avantika khudko Utkarsh ke saath comfortable feel karwane ke liye ye sab kar rahi hai
khair aaj milne ka promise karke hum sab apne apne ghar nikal gaye aur aaj hum sabhi
thoda jaldi hi college aa gaye actually baat ye thi contest ko do levels pe divide kiya gaya
tha jiska ek level toh hamare liye surprise rakha gaya tha par final level pe humko apne
partner ke saath ek dance performance dena hoga ye bata diya gaya tha baad me pura
auditoruim students se occupy ho jata hai issliye hum sab aaj kuch jaldi aa gaye aaj
hamara group ek saath hokar bhi alag alag tha kyu ki har koi apne partner ke saath tha
issliye hum sab ek saath hote hue bhi sirf apne partner se baat kar rahe the

Main:- contemporary try kare valentines day me suit bhi karega

Avantika:- nahi nahi contemporary hum kar rahe hain tum log kuch aur try karo isse pehle
ki mere suggestion pe Alisha kuch bolti Avantika madam jo ki hamare side me hi khadi thi
unhone apni pratikriya de di

Utkarsh:- ye humne kab decide kiya? Utkarsh ki baat sunkar mujhe hasi aa gayi

Main:- yaar Avni agar hum dono hi contemporary kar len toh isme problem hai kya?

Avantika:- hum dono?

Main:- hum matlab main aur Alisha abhi ke liye ek hi hue naa waise hi tum aur Utkarsh
abhi as a couple dance kar rahe ho toh tum dono bhi ek hue issliye hum dono

Avantika:- dheere se mujhe koi shouk nahi hai kisiko bhi khud se milakar ek bolne me

Main:- kuch kaha?

Avantika:- haa kya? nahi toh main toh ye bol rahi hun ki hum contemporary kar rahe hain
tum kuch aur kar lo?

Alisha:- par aur bacha kya?


Main:- ek kaam karte hain hum saalsa kar lete hain meri baat sunkar Avantika ka dimag
ghum gaya kaha wo hume contemprory dance karne se rok rahi thi taaki mujhe aur Alisha
ko kuch bhi romantic steps karne ka mouka na mile aur ab maine saalsa keh diya tha jo ki
romance ke saath saath sensiousness aur seduction ke liye best maana jata hai

Avantika:- kya saalsa tumhe saalsa ka S bhi aata hai kya? main Avantika ki baat sunkar
muskura diya

Main:- koshish karne me kya harj hai?

Ronit:- kya bola? koshish Avni tum kya beech beech me bhul jati ho ki kisse baat kar rahi
ho Vj iss a gem in dancing aur uske upar hip hop break dance contemprory aur salsa toh
iske main forte hain

Alisha:- par mujhe toh sach much saalsa ka S bhi nahi aata

Avantika:- main bhi Alisha ke liye hi bol rahi thi Vj ke liye nahi

Main:- dheere se paltu

Avantika:- kya kaha?

Main:- main keh toh raha tha par tumse nahi Alisha se yaar tum tension mat karoI’ll help
u out aur waise bhi hum easy steps hi kare ge

Anjali:- yaar Alisha tum sach me lucky ho Vj ke sirf saath nahi ab tum Vj ki baahon me
rehkar ye valentine manaogi sahi maayno me kal tum dono hi couple lagoge idhar sab
Anjali ki baaton par hans diye bas do log aise the jinke chehre par alag expressions the 1 st
Alisha ke jo Anjali ki baat sunkar sharma gayi thi 2nd Avantika ke jo kafi sad ho gayi thi par
upar se muskura rahi thi maine ek baar Avantika ki taraf dekha jo mujhe hi dekh rahi thi
par mere uske taraf dekhte hi usne nazre ghuma li maine bhi ek lambi saans chhodi aur
lag gaya apne kaam pe matlab Alisha ko steps samjhane me par mujhe Ronit Anjali aur
Shanaya aur Vincent ki jodi ko bhi beech beech me steps batane pad rahe the nahi batata
toh saale mujhe bhi practice nahi karne dete wahi Avantika aur Utkarsh khud hi apni
practice kar rahe the Utkarsh ko kafi ache moves aate the wo Avantika ko steps batata jaa
raha tha hum sab ne personal head phones lagaye hue the taaki kisi bhi jodi ko dusre ke
songs se disturbance naa ho iss pure practice time me Avantika hans has kar Utkarsh se
baat karti rahi aur beech beech me mujhe dekhti rahi par jab bhi wo meri taraf dekhti toh
sad ho jati kyu ki maine uski taraf ek baar bhi nahi dekha tha aisa usse lagta tha par pagli
ko kaun samjhaye ki jiski tasvir dil me basi ho usse dekhne ke liye aankhon ki zaroorat nahi
padti khair iss logic ko Avantika ke samjh me aane me abhi kafi time hai hum sabne
practice khatam ki ab auditorium me kafi students aa chuke the aur jaisa ki maine bataya
tha ki aaj kal classes nahi lag rahe the issliye hum sab ne apne apne ghar jane ka decide
kiya Ronit aur Anjali aaj bike se aa gaye the toh wo apna nikal gaye Shanaya aur Avantika
apni car se ab bach gaya main maine bhi car unlock ki aur andar baith gaya ki tabhi do
logon ne meri car ke glass ko knock kiya maine door unlock kar diya ek ne meri side open
ki aur mere side wali seat par baith gayi aur dusre ne peeche wali door open ki aur peeche
baith gaya ye dono aur koi nahi balki Alisha aur Utkarsh the

Alisha:- ek baat puchun?

Main:- hmm

Alisha:- koi bhi ladki Vj ki partner banne ke liye ready ho jati fir main hi kyu?

Main:- aur agar wo ladki mujhe pasand karne lagti toh? main apne faayde ke liye kisike dil
se toh nahi khel sakta naa mere liye Alisha hi thek hai aur yahi baat Avantika pe bhi laagu
hoti hai issliye Avantika ke liye Utkarsh hi thek hai

Utkarsh:- kya wo hamari asliyat kabhi jaan payegi

Main:- bilkul janegi aur thanks meri help karne ke liye St Alfrick, St Cecilia Planet: Gluto

Place: Palace garden

ghoor kyu rahi ho? praatah kaal ek shaksh apni aankhen band kiye dhayan ki awastha me
baitha hua hai dhayan me baithne se aksar tejaswi logon ke sharir chamakne lagte hain
par iss waqt jo shaksh dhayan awashta me baitha tha uske sharir se kaale dhuen nikal aas
paas ke sabhi ujwalit jagahon par apna asar dikha rahe the wo sabhi jagah andhere me
doob se gaye the

subah subah tahalte hue Nishkalika uss jagah pahunchi jahan iss waqt wo vyakti dhayan
me baitha hua tha Nishkalika ki nazar apne saamne baithe shaksh par padi aur saath hi un
kaal dhuon parjo aas paas ki jagahon ko bhi apne rang me samet kar kaale kar rahe the

Nishkalika:- andhere ki jay ho Nishkalika chalte hue uss shaksh ke saamne pahunchi usne
apne haath aage kar diye Nishkalika ke haathon se kuch kaali roshniyan nikli aur uss
shaksh ki taraf chal din par jo kaale dhuen iss waqt uss shaksh ke sharir se nikal rahe the
unhone un kaale rays ko uss shaksh tak pahunchne se pehle hi khatam kar diya ab
Nishkalika uss shaksh ko dhayan se dekhne lagi uss shaksh ko bhi dhayan awashtha me ye
gyat ho gaya ki koi usse ghoor raha hai usne jhat se apni aankhen khol di apne saamne
Nishkalika ko khud ko ghurta dekh usne ye sawal kiya tha

Nishkalika:- dekh rahi hun ki kabiliyat toh hai tumeme warna itne sashakt kaal rakshak
(kaale dhuen) tumhare sharir me nahi baste waise tumne apna kya naam bataya tha?

Unknown:- Madox ji haan doston Asmodeus ne Madox ko Nishkalika ke paas hi bheja tha

Nishkalika:- haan Madox par ek baat batao tumhare grah par sabke naam itne ajeeb kyu
hote hain Madox Digvijay ye bhi bhala koi naam hua?

Madox:- hahaha Nishkalika ki baat sunkar Madox ko hasi aa gayi par Nishkalika ko Madox
ka yun hasna pasand nahi aaya

Nishkalika:- maine kya koi mazak kiya hai jo tum hans rahe ho?

Madox:- mazak hi toh hai hamare planet ke naamo par sawal uthane se pehle tumne kabhi
apne naam ke bare me socha hai agar tum hamare planet me kisike saamne apna naam
bologi toh unhe lagega ki tum koi naatak mandali ka kirdaar ho Madox ki baat ne
Nishkalika ke ghusse par aag me ghee ka kaam kiya Digvijay ke hisse ki power ko bhi
paakar Nishkalika ka ghamand saatve aasman par pahunch chuka tha aise me kisi ka uske
naam ka mazak udana usse bilkul pasand nahi aaya

Nishkalika:- apni zuban ko lagam do Madox tumhe pata bhi hai ki tum kiske naam ka
mazak uda rahe ho?

Madox:- yahi baat tum par bhi lagu hoti hai Nishkalika mere aur mere bhai ke naam ka
mazak udane se pehle tumhe bhi yahi sochna chahiye tha

Nishkalika:- hum Nishkalika hain kaali shaktiyon ki malika hum jise chaahe jo chaahe wo
bol sakte hain

Madox:- galatfehmi hai tumhari tum jis taakat ka ghamand kar rahi ho uska aadha hissa
mere bhai ki di hui tumhe bheek hai Madox ki baat sunkar Nishkalika ke sabr ka baandh
ko jhakjhor diya tha par Nishkalika janti thi ki Madox uske paas devil lord ke kehne se aaya
hai issliye wo usse maar nahi sakti thi

Nishkalika:- bohat ghamand hai naa tujhe apni taakat par aur hoga bhi kyu nahi devil lord
ka sahara jo mila hai tujhe
Madox:- ek aur galat fehmi chalo kamse kam tumhare iss galat fehmi ko toh main door
kar hi sakta hun chalo ek chota sa yudh karte hain agar tumne mujhe hara diya toh mera
sar tumhare aage jhuk jayega par agar tum haari toh tumhe mere aage jhukna hoga

Nishkalika:- manzoor hai Nishkalika ne apna right hand ek baar gol ghumayajis garden me
iss waqt Nishkalika aur Madox khade the uske charo taraf ek strong shield ban gaya

Nishkalika:- toh shuru kare? Madox ne kuch nahi kaha bas aankhen band kar kuch
budbudaya bhumiyem khananam karoti land digging Madox ke mantra uchharit karte hi
Nishkalika ke neeche ki zameen dono taraf se halki khisak gayi par ye kya? Nishkalika ke
pair zamin ke khisakne se bilkul bhi nahi dag magaye wo wahi muskurati hui khadi rahi
Madox ne jab Nishkalika ke pairon ki taraf dekha toh usse pata chala ki Nishkalika halki
hawa me uthi hui hai jab pair hi zamin par nahi hain toh zamin ke khisakne ka Nishkalika
par asar kaise hota bhumiyem shakti shashtra ropanaha lands power arms loose ye spell
Madox ne nahi Nishkalika ne budbudaye the Nishkalika ke spell bolte hi wo zameen jo
dono taraf khisak gayi thi uske andar se solid mitti ke badi badi parthen nikal kar Madox
ki taraf gayi par wo mitti ki saari parthen apne andar lohe ke nukile auzaron ko dhake hue
thi Madox ko ye pata chal gaya aur agle hi pal Madox hawa me uchla jitni bhi mitti ki
parten uski taraf aa rahi thi Madox un sab ke upar chalta hua aage badhne laga par saath
saath Madox ne apne dono haathon ko baari baari se aage ki taraf chalana shuru kiya
maano kuch fek raha ho Madox ke dono hatheliyon se ussi tarah ke nukile auzar nikle jaise
un mitti ke parthon me chupe hue the aur wo sab auzar ek ke baad ek Nishkalika ki taraf
badhe Nishkalika shocked ho gayi uske shocked hone ka kaaran ye nahi tha ki Madox ne
uske waar ko kaat diya balki ye tha ki Madox ko pata chal gaya tha ki un mitti ki parthon
ke aad me Nishkalika ne uspar kis cheez se waar kiya hai aur unhi auzaron ke waar wo ab
uspe kar raha tha avrodha block Nishkalika ke spell bolte hi jitne bhi auzar uski taraf aa
rahe the wo ek adrishya lohe ki stopper se takrane lage aur neeche gir gaye Nishkalika aur
Madox ne ek pal ke liye ek dusre ki aankhon me dekha maano ek dusre ki taakat ko naap
rahe hon aavapayati agkura cut plates ye spell Nishkalika ne bola tha spell ke uchharit hoti
hi Madox ko apne kaano me kuch tez tez ghumne ka abhas hua usne har taraf dekha par
usse kuch bhi nazar nahi aaya prakati karoti unfold jab Madox ko kuch bhi dikhayi nahi
diya toh usne ye spell bola spell ke uccharit hote hi Madox ko apne charo taraf blades
dikhne lage jo gol gol ghumte hue uski taraf aa rahe the ye toh acha hua ki Madox ne
unfold spell right time me bol diya kyu ki wo blades Madox ke kafi paas aa chuke the
agkura vicchedaka blade cutter Madox ne turant iss spell ko uccharit kiya aur tannn
Nishkalika ke chhode gaye adrishya blades Madox se bas ek feet hi door the Madox ke
spell uccharit karte hi wo saare blades beech se katthe chale gaye

Nishkalika:- bas bohat hua avapi dayati squeeze out Nishkalika ne dono haathon ko aage
kar taali bajate hue iss spell ko bola tha spell ke bolte hi Madox ke dono taraf do kaale
rays ki par solid lohe se bhi sakht diwal ban gayi aur Nishkalika ke taali bajate hi wo dono
diwal tez gati se Madox ki taraf badhe maano usse beech me pichkana chahte hon kaal
chakram svavahita Black shadows alert Madox ne aankhen band ki aur iss spell ko uchharit
kiya spell ke uccharit hote hi Madox ko charon taraf se kaale dhuen ne gher liya maano
koi chaadar khud ko kisi par odha rahi ho aur boommm wo kaali rays ki diwal Madox ke
charon taraf faile kaali chadar se takrayi aur ek karn bhedi vishphot hua Nishkalika ke
bichaye shield ki wajah se iss vishphot ki awaaz aur asar toh na hi kisi ko sunayi diya naa
hi kisiko koi nuksaan pahuncha par shield zaroor toot gayii Madox aur Nishkalika ek dusre
ko aascharya chakit hokar dekh rahe the

Nishkalika:- adhbhoodh kafi aulokik aur avismaraniya shaktiyon ke maalik ho tum

Madox:- maine bhi jitna socha tha tum usse kayi guna zyada shakti shaali ho

Nishkalika:- agar hum dono mil jayen toh iss bramhaand me raaj kar sakte hain

Madox:- ye bramhaand toh lord of devils ki milkiyat hai mujhe toh bas apne bhai ke mout
ka aur khud ka pratishodh lena hai

Nishkalika:- wo toh le hi lenge par tab tak tum mere mehman ho aur main kya hun aapki?
kabhi hume bhi toh yaad kar liya karo Madox ne awaaz ki disha me dekha aur usse jo
dikha usse dekhkar uski nazar wahi theher gayi Nishkalika aur Madox se kuch hi door ek
beinteha khoobsurat ladki khadi thi jo apne gulab si pankhudiyon jaise honton par
muskaan liye Nishkalika ki taraf aa rahi thi Nishkalika ne bhi apni baahen khol di dono
ladkiyon ek dusre ke gale lagi

Nishkalika:- Madox isse milo ye hai Bhuvika meri behan

Planet: Earth Place: College Hall

oh my God just look at him he iss so so so handsome yaar aaj valentines day hai actually
abhi ke time ke hissab se ye valentines evening hai jaisa ki maine bataya ki abhi shaam ka
waqt hai jo apne swarup ko haule haule badlate hue raat ka roop le rahi hai aur abhi abhi
jo aapne taarifen suni ye hamare college hall me moujud ladkiyon ke mouh se nikli hai
wajah abhi abhi apke bhai ne hall me entry li hai jahan sabhi ladkon ne western outfit
pehna hua hai wahi unke complete opposite main traditional ethnic dress me hun black
kurte payjaame ke upar graphite black waist coat aur iss dress me main lag kaisa raha hun
ye toh aapko abhi abhi girls ke reaction se pata chal hi gaya hoga waise mere saath Alisha
bhi thi jisne red polyester bodycon dress pehni hui thi aur iss dress me wo kisi angel se
kam nahi lag rahi thi (waise thi toh wo angel hi) saare ladke jinki nazar abhi tak apni gf’s
aur partner ke hote hue bhi 3 ladkiyon ko ghure jaa rahi thi ab unka direction change
hokar Alisha pe aa gaya tha waise toh saare students jo iss waqt iss hall me moujud the
wo sab apne partner ke saath hi aaye hue the par filhaal ladke alag apne frndz ke saath
khade hue the aur ladkiyan apne frndz ke saath par mera group intact tha hum dono
chalte hue unke paas chale gaye

Main:- hey guyzz what’s up? par mere greet ka jawab dena chhod sab saale mujhe aise
ghure jaa rahe the maano pehli baar dekh rahe ho

Main:- abbe ladkiyon ka toh thek hai par tum teeno ladke hokar bhi mujhe ghur rahe ho
choices toh nahi badal gayi naa tumhari?

Vincent:- kya bhai tu bhi waise kamal lag rahe ho & Alishau too are looking very beautiful

Alisha:- thanks

Ronit:- saale tu ethnic me aane wala tha toh mujhe kyu nahi bataya main bhi ethnic pehen
leta

Main:- aur jo Anjali ne tere liye dress kharida tha aaj ke liye uska kya hota?

Anjali:- tujhe kaise madam ka pata unke mouh me hi reh gaya kyu ki unhe y aad aa gaya
tha ki galat bande se galat sawal puch rahi thi

Main:- waise tum teeno ko bata dun apne apne partners ko chupa kar rakho saare ladko
ki nazar inpar hi hai

Ronit:- kiski majaal hai jo inko kuch kar ke dikhaye?

Main:- meri itni khoobsurti ek saath bulk me dekhkar mujhe toh chakkar aa rahe hain meri
baat ka asar bas do ladkiyon par hi hua kyu ki teesri toh jab se main aaya hun bas bina
palken jhapkaaye mujhe hi dekhe jaa rahi hai ab aap toh samjh hi gaye honge ki main kiski
baat kar raha hun waise haal toh mera bhi Avantika ko dekhkar bura ho raha tha meri hi
tarah usne bhi hamare desh ke sabse khubsoorat paridhan ko pehna hua tha saari
Avantika ne red colour ki saari pehni hui thi jisme wo uss menka se kam nahi lag rahi thi
jo mere jaise vishvamitra ki tapasya ko bhang karne me lagi hui thi meri nazar jaise hi
Avantika ki ghoorti hui nazar pe padi usne apni nazarein ghuma li tabhi uske paas khadi
Anjali ne uske kaan me kuch bola aur same messege Avantika ne Shanaya ko paas kiya
teeno ne hume excuse me bola aur kahi nikal gayi

Ronit:- ab ye sab kaha jaa rahi hain?

Main:- washroom

Ronit:- bhai susu toh mujhe bhi badi zor ki lag rahi hai kabse control karke rakha hun

Main:- chal fir maine Alisha ko excuse me kaha aur Ronit ke saath chal pada girls lo aur
boys loo aamne saamne hi tha ladkya n toh girls loo me jaa chuki thi Ronit bhi men's loo
me ghus gaya aur main bahar khada mobile kochakne laga ki tabhi tum yaha maine mobile
se nazar hata kar saamne dekha jahan Avantika khadi mujhe ghur rahi thi

Main:- nahi ye toh mera bhoot hai main toh abhi bhi hall me hi hun

Avantika:- tum naa ekdum ajeeb ho koi bhi sawal ka sidha sa jawab nahi dete

Main:- jab sawal hi tedha medha hoga toh jawab sidha kaise dun dekh kar bhi puchti ki
tum yaha?

Avantika:- tum naa bohat badal gaye ho?

Main:- hmm Avantika ko laga ki main usse kaise puchunga par maine hmm kaha toh usse
shock laga

Avantika:- kya hmm? matlab tumhe pata hai ki tum badal gaye ho

Main:- nahi

Avantika:- toh hmm kyu kaha?

Main:- kyu ki tumhara sawal hi galat hai hum toh waise hi hai jaise the shayad tumhare
mujhe dekhne ka tarika badal gaya hai meri baat sunkar Avantika hadbada gayi

Avantika:- matlab?

Main:- khud se pucho wahi se iss sawal ka better jawab milega waise sawal puchne ke
alawa tumhe aur kisi cheez me interest hai?

Avantika:- dheere se tum me

Main:- maine sun liya


Avantika:- kya kya sun liya? Avantika meri baat sunkar dar gayi thi

Main:- flush ki awaaz lagta hai Ronit halka ho gaya hai

Avantika:- chiii kuch bhi naa par tabhi mens loo aur girl's loo dono ka darwaaza ek saath
khula aur mere saare frndz bahar aa gaye

Main:- tum sabne decide kiya tha ki ek saath bahar aaoge

Ronit:- bakwaas band kar be

Anjali:- apni partner ko akela chhodkar yaha kya kar raha hai tu Alisha ki baat sunkar
Avantika firse sad ho gayi

Main:- tere bf ki chowkidaari ab chalen hum sab hall ki taraf chal pade par hamare hall
me pahunchte hi hamare aaj ki shaam ki anchor Miss Shaifali bhi stage par aa chuki thi

Shaifali:- hello everybodyy sabse pehle a very happy valentines day to all of u so aaj ka ye
contest shuru kare? sab yes yes ki hooting karne lage

Shaifali:- alright then sabse pehle main aapko bata dun ki aaj ke hamare contest ko judge
commerce ke final year ke kuch students kare ge now coming back to the contest aaj ke
contest ko 3 rounds me divide kiya gaya hain 1st round me aap sab ko apne partners ke
saath stage par aakar ramp walk karna hoga aap sab me se best for couples ko chuna
jayega aur uske baad ab itni bhi kya jaldi hai pehle first round toh pura kar len couples
what are u waiting for come up & set the stage on fire hum sab apne apne partners ke
saath ek ek karke ramp walk karne lage Anjali aur Ronit ke ramp walk karte waqt kafi
hooting hui aur same Shanaya aur Vincent ke walk karne par bhi hua second last jodi
Avantika aur Utkarsh the Avantika ne ek baar meri taraf dekha fir aage nikal gayi wo toh
aage nikal gayi par mere dil aur dimag me uss dard aur shikayat ko chhod gayi jo mujhe
dekhte waqt uske aankhon me thi dard iss baat ka ki main uske saath nahi hun aur
shikayat iss baat ki ki main kyu uske saath nahi hun? tez hootings aur taaliyaon se meri
soch tooti ye hooting Avantika aur Utkarsh ke liye ho rahi thi i ab tak ki sabse tez hooting
aur ab bas main aur Alisha bache the maine uska haath thaama aur hum stage par chadh
gaye hum jaise jaise aage jaa rahe the hall students ke shor se gunje jaa raha tha shayad
hi aisa koi uss hall me moujud hoga jisne mere aur Alisha ke walk par shor na machaya ho
finally humari walk khatam hui aur hum sab apne frndz ke paas jakar khade ho gaye hum
sabne ek dusre ko congrats kaha Avantika ab bhi reh reh kar mujhe dekhe jaa rahi thi main
dheere se chalte hue uske paas gaya
Main:- udas ho

Avantika:- nahi toh

Main:- main puch nahi raha bata raha hun par fikr mat karo iss contest ke khatam hone
tak tumhare chehre ki muskan laut aayegi main Avantika ko bol lautkar apni jagah par
khada ho gaya wahi Avantika toh meri baat ka matlab samjhne ki koshish kar rahi thi

Shaifali:- toh jaisa ki maine kaha tha ki aap me se best for ko chuna jayega toh mere paas
best five ka naam aa chuka hai aur wo naam hain Anjali & Ronit, Shanaya & Vincent,
Avantika & Utkarsh, Alisha & Vikram hum sab ke nam anounce hote samay hall ek baar fir
se taaliyon ki gadgadahat se gunj utha

Shaifali:- toh doston ab hai time second round ka par yaha ek twist hai hamare paas ek
bowl hai jisme humne pehle se hi in chaar jodiyon ka oh sorry sorry in 8 students ka naam
likh liya hain aap sab yahi soch rahe honge ki maine in sab ko for jodiyan na kehkar 8
students kyu kaha? toh wo issliye doston ki iss round me ek twist hai waise toh ek twist
aur bhi hai par uske bare me aap sab ko last me maalum padega filhal ke liye iss round ke
twist ke bare me baat karte hain iss round me ye sab yaha upar aayenge aur har couple
me se ek bowl se ek chit nikalenge jiske haath me jiske bhi naam ka chit hoga usse ye
dusra round uske saath hi pura karna hoga agar aapke chit me aapke partner ka hi naam
hua toh fir toh aap lucky hain aur agar nahi toh jiska bhi naam hoga wahi aapka iss round
ke liye partner hoga toh lets begin iss round ek bare me sunkar jahan saare students khush
ho gaye the wahi saare couples thode nervous hum sab upar stage par aa gaye hum sab
ladkon ne girls ko chits utahne ke liye kaha Anjali Shanaya Avantika aur Alisha ne chit
uthaye Anjali ke chit me Vincent nikla Shanaya ke chit me Utkarsh nikla Alisha ke chit me
Ronit nikla aur Avantika ke chit me ab bacha hi kaun mere alava main hi nikla

Shaifali:- fantastic toh hamare paas hamre new fresh partners hain toh game shuru karte
hain jahan mere baaki ke frndz ke mouh latak gaye the waha ek chehra khil gaya tha aap
sab toh jante hi ho ki kiski baat ho rahi hai

Shaifali:- toh task ke bare me bhi bata deti hun kafi simple hai aap sab me se ek apne bare
me ek sawal puchega aur uske partner ko jawab dena hoga sawal kuch bhi ho sakta hai
apne fav cheez ke bare me bhi ya fir apne hobbies ke ya fir apne nature character ya fir
attitude ke bare me bhi saamne wale ko uska jawab dena hai total 5 sawal puche jayenge
jiske jawab sabse zyada right honge wo team jeet jayegi ye point jeetne wali team ki
original jodiyon ko milegi so guyz ready
Ronit:- ek minute Ronit uth kar mere paas aaya aur mere kaan me bola

Ronit:- saale tu apne powers ka use nahi karega sawal tu puchega jawab Avni degi thek
hai

Main:- tu wahi baithe baithe agar ye mann main bhi soch leta na toh mujhe pata chal jata

Ronit:- arre haan yaar chal chhod bas tu dhayan rakhiyo Ronit apni jagah par jaakar baith
gaya aur fir hua hamara ye task Shaifali sawal puchne wale se pehle se hi uske saare sawal
aur uske answers likhwa kar apne paas rakh leti thi taaki baad me koi cheating naa ho par
jaise ki sabko ummid thi kisi ne bhi apne partner ke sawalon ka sahi jawab nahi diya yaha
main aapko bata dun ki maine St Cecilia aur St Alfrick ko bhi apne power ko use karne ke
liye mana kiya hua tha aur ab baari thi meri aur Avantika ki

Shaifali:- toh jaisa ki hum sabne dekha hai ki abhi tak kisi bhi jodi ne ek bhi sahi jawab nahi
diye par ab hai hamare saamne hamari last jodi & guyz ye dono mere personal favs bhi
hain Secrilla adventure me in dono ne ek game me itna behtareen performance diya tha
ki kya bataun ummid hai ki aaj bhi aisa hi kuch hoga so sawal kaun puch raha hai?

Main:- main puchunga meri baat sunkar Avantika nervous ho gayi

Avantika:- dheere se but Vj mujhe tumhare bare me kuch bhi nahi pata

Main:- mere sawalon ko sunna mat mehsoos karna apni aakhen band kar jo bhi tumhe
mehsoos ho wo bol dena Avantika ko meri baat thek se samjh toh nahi aayi par usne haan
me mundi hiladi maine bhi baakiyon hi ki tarah apne sawal aur unke jawab likhkar Shaifali
ko de diye

Shaifali:- ok guys shoot maine Avantika ko apni aankh band karne ka ishara kiya Avantika
ne aankhen band kar li

Main:- mera fav colour? Avantika jiski aankhen band thi uske aankhon ke saamne red
colour aa gaya

Avantika:- red

Main:- mere inspiration Avantika ke saamne ek tasvir ubhri

Avantika:- tumhare dad

Main:- success aur doston me se agar mujhe kisi ek ko chunana pade toh main kisse
chununga?
Avantika:- doston ko Avantika ke jawab ko sunkar mere dono doston ka dil bhar aaya tha
par unhone apne emotions ko control kar liya

Main:- har insaan ko ek cheez hai jo main barabar deta hun wo kya hai?

Avantika:- izzat

Main:- sab kuch hai mere paas fir bhi ek chiz ki kami hai wo kya hai?

Avantika:- mohobbat

Shaifali:- ohh my God saare answers sahi hain I mean how? unbelievable hats off Avantika
guys give the winners a big hand ek baar fir har taraf hooting aur clapping shuru ho gayi
hamare doston ne bhi hume gale lag kar congrats kiya

Shaifali:- ab baari hai hamare last & final round ki toh iske bare me toh sabko pehle se
bata diya gaya tha par jo bhi bataya gaya tha wo aadhi baat thi aur naaki ki aadhi baat ye
hai ki aap sab apne partners ke saath ek ek karke dance nahi kare ge aap sab ke selected
songs ki cd ko humne merge karke ek song me convert kar diya hai aur saath hi aakhri me
ek chota sa music beat humne apni taraf se bhi add kiya hai aap sabhi apne partners ke
saath ek saath stage par aayenge jab jab jiske bhi selected song ka music bajega usse
dance karna hoga aur aakhri music beat par aapko turant improvise karke dance karna
hoga toh shuru kare hum charon couples stage par aa gaye pehle song ke saath Anjali aur
Ronit ne slow romatic dance shuru kiya dono ke steps itne ache nahi the par dono ke
beech ki chemistry aur feel itna natural tha ki sabke sab mantra mugdh se hokar dono ko
dekhne lage abhi unhe dance karte hue do minute bhi nahi hua tha ki song change ho
gaya aur ab Shanaya aur Vincent dance karne lage wo dono bhi mushkil se do min hi dance
kar paye the ki itne me third song baj utha aur ab Avantika aur Utkarsh stage ke centre
me the par zyadatar steps karte hue Avantika ki nazar mujhpe hi thi jise Utkarsh ne bhi
dekh liya tha aur uske chehre par bhi muskurahat thi aur agle do minto ke baad stage par
main aur Alisha aa gaye iss epic gaane ko hum dono ke dance ne aur epic bana diya kyu ki
main aur Alisha saalsa kar rahe the issliye hamara har move menthar step bohat zyada
sexy aur sensuous lag raha tha itni der se khush ho rahi Avantika ka chehra ek baar fir se
murjhane laga par tabhi gaana change ho gaya gaana jitna bhi romantic kyu naa ho steps
toh aane hi chahiye na uspe groove kare ke liye ab ye koi shadi ka funtion toh tha nahi ki
kisi bhi music par sapera dance shuru kar den mere saare frndz nervous ho gaye kyu ki ye
sab unke liye unexpected tha neeche se saare students jo abhi tak hum sab ko cheer kar
rahe the ab boo boo karke hamara mazaak udane lage ki tabhi achanak kuch aisa hua ki
sab chup ho gaye sirf ek awaaz aa rahi thi music ki aur stage ke beech ek couple ek dusre
ko thaame hue har second ek aisa romantic move kar raha tha ki dekhne walon ke dil hi
dil me aah nikal jaa rahi thi ye couple aur koi nahi main aur Avantika the hua ye mere
doston ke nervous chehron ek beech bas ek chehra aisa tha jiske chehre par nervousness
nahi balki maayusi dikh rahi thi ye chehra Avantika ka tha jo meri taraf ek tak dekhe jaa
rahi thi maano keh rahi ho ki agar tumne mujhe chuna hota toh yun beech me rukna na
padta uski aankhon me ek iltejaa thi jo keh rahi thi ki ab bhi der nahi hui hai ek baarbas
ek baar mujhe pukaro main tumhare aadhe likhin shaayri ko pura kar dungi ek baar apna
haath badhao fir dekho ye gaana apne shabdon ke zariye hamari kahani batayega aur
maine Avantika ki dil ki awaaz sun li aur apna haath aage kar diya aur Avantika ne bhi bina
der kiye mera haath thaam liya saare students ke liye ye bas ek khubsoorat sa dance tha
mere doston ki nazar me hum unki izzat bacha rahe the par hum dono ke liye toh ye pal
apne sapne ko apne haqiqat se milane ki shuruat thi song kab khatam hua hume maalum
hi nahi chala ye toh students ka shor aur taaliyon ki gadgadahat thi jise hum dono hosh
me aaye humne sabko thanks kaha aur apne doston ek paas aa gaye hamare dost hamare
dance ki taarif kar rahe the unka popat hone se bachane ke liye thanks keh rahe the par
najane kyu mere aur Avantika ke kaanon me ab tak ek dusre ki tez saanson ki awaaz gunj
rahi thi

Shaifali:- wow what a performance yaar sach sach batao kahi se hamare prograame ke
secrets leak toh nahi ho gaye naa I mean such a smooth dance act lag hi nahi raha tha ki
abhi abhi improvise kiya hai anyways jaisa ki maine kaha tha ki abhi ek twist aur hai toh
wo twist ab disclose hone wala hai twist ye tha ki aaj ke Mr valentine aur Miss valentine
ka selection second round ke task aur last round ke last song ko dekhkar kiya jane wala
tha so guyz mere paas iss saal ke Mr valentine aur Miss valentine ka naam aa chuka hai
aur wo hain any guess guyzzz har taraf do naam gunjane lage

Shaifali:- u all are absolutely right guyss this year's Mr & Miss valentine are Vikram &
Avantika hum dono ka naam aate hi mere dost mere aur Avantika par kood gaye unse
free hokar main aur Avantika stage par gaye aur apni valentines trophy lene ke liye haath
badhaya hi tha ki Shaifali ne apna trophy wala haath peeche khinch liya

Shaifali:- aise nahi pehle kuch ho jaye

Main:- trophy dono ki hai toh bolna bhi dono ko padega maine Avantika ki taraf dekhte
hue bola

Shaifali:- ye ki naa pate ki baat then what are we waiting for? Shaifali ne mike meri taraf
kar diya
Main:- main jo bhi line bolunga tumhe usse puri karni hogi Avantika ne bas apni palkon
ko neeche kar haami bhar di

Main:- jab dimag shaant ho par dil me bechaini ho jab sach lag rahi saari galatfehmi ho

Avantika:- haan wahi pyar hai

Main:- jab tanha khamosh raatein hon par kaano me ek shor mach jaye

Avantika:- jab saari duniye me dhoop khile bas khudke upar hi baadal garaj jaye

Main:- jab sidhe chalne wale kadam achanak se behek jaye

Avantika:- dhul se bhare raaste unke ehsaas me khusboo se mehak jaye

Main:- wo ehsaas jo sirf ek baar hota hai

Avantika:- haan wahi pyar hai

Main:- jab doston ki mehfil me unke naam se bikne lage

Avantika:- tehzib ke rang me dhal unke taur tarike sikhne lage

Main:- jab wahi purana chaand kuch zyada khubsurat dikhne lage

Avantika:- jab kalam haath pakad khud b khud gazal likhne lage

Main:- wo ehsaas jo hota sirf ek baar hai

Avantika:- haan wahi pyar hai

Planet: Gluto

Place: Palace garden

ye kaisa ladka hai? din bhar ya toh yudh kala ka prashikshan karta rehta hai ya fir dhayan
me baitha rehta hai subah ka waqt hai Madox Nishkalika ke mahal ke bahar bane garden
me dhayan awastha me baitha hua hai subah subah Bhuvika jab sair karne nikli thi toh
usne Madox ko garden me hi talwar aur anya shashtron ka abhyas karte hue dekha tha
aur pure do ghante baad jab wo lauti toh usne Madox ko dhayan ki awashta me baithe
hue dekha

kahani ko aage badhane se pehle chaliye pehle hamare naye par future ke ek important
character ke bare me jaan lete hain ''Bhuvika'' jitna adhbhudh aur alag ye naam hai utni
hi alag aur charming iss naam ke adhipati ka vyaktitv bhi hai ye toh aap ko pata hi hai ki
Bhuvika Nishkalika ki choti behan hai par iska nature aur character Nishkalika ke bilkul
opposite hai jahan Nishkalika kroor hai wahi Bhuvika bohat komal hai na toh koi chhalnahi
koi kapatek dum saaf suthri dil ki ladki waise toh Nishkalika khud kaali shaktiyon ka ek
bohat bada shroth hai aur usse ache aur sacche logon se nafrat hai par wo apni behan jo
ki ek nek dil ladki haiuspar jaan chidakti hai usne khud hi apni behan ko apni kaali
shaktiyon ke prabhav se door rakha hai Nishkalika toh apne grah ko chhod shakti ki talash
me Gluto aa gayi par Bhuvika apne grah par hi rahi Nishkalika ne Gluto ki maharani banane
ke baad bhi Bhuvika ko khudse door hi rakha ye sochkar ki kahi uski behan uski sangat me
rehkar ussi ki tarah kroor naa ho jaye Bhuvika beech beech me apni behan se milne Gluto
aaya karti hai aisa nahi tha ki Bhuvika ko Nishkalika ki sachayi pata nahi thi Bhuvika ko sab
kuch pata tha par wo apni behan se itna adhik prem karti thi ki usse zyada fark nahi padta
tha un dono ke maa baap ke guzar jane ke baad jis tarah Nishkalika ne uski puri zimmedari
uthayi thi usse uske dil me apni badi behan ke liye maa ka sthaan bana liya tha waise toh
Bhuvika ek soft hearted chulbuli si sabko hasane wali ladki thi par agar baat uski behan ki
ho toh wo sab sahi galat bhul jati thi uske liye uski behan hi sahi thi aur wo uske khilaf
kuch bhi nahi sun sakti thi ab ye attitude kya rang laata hai ye dekhna mazedar rahega

Bhuvika ne jo kaha tha Madox ne usse dhayan awastha me hote hue bhi sun liya tha
Madox ne aakhen khol di

Madox:- apne lakshya ki prapti ke liye lagatar abhyas karna galat toh nahi hai? Bhuvika
Madox ke yun achanak aankh kholne aur usse baat karne se hadbada gayi

Bhuvika:- aap toh dhayan awashta me the naa fir aapne meri baat kaise suni didi toh kehti
hain ki dhayan awashta me hamara sampark bahari duniya se toot jata hai

Madox:- tumhari didi sahi kehti hain par ek sach aur hai jiske bare me shayad tumhari didi
tumhe batana bhul gayin

Bhuvika:- meri didi kabhi kuch nahi bhulti zaroor aapko hi dhayan me baithna nahi aata
hoga Bhuvika ke apni didi ke bare me baat karte waqt Madox ne uski aankhon me ek zid
dekhi jise wo samjh nahi paya par koi aur tha jo samjh gaya tha

Madox:- main jab bhi dhayan me baiththa hun toh mere kaal chakra aas paas ki har gati
vidhi par dhayan dete hain aur tumhare aate hi mere kaal chakra ne mujhe bata diya tha
ki tum mere saamne ho issliye maine tumhari awaaz sun li
Bhuvika:- haan toh wo aapne khud hi apni surakhsha ke liye kiya hai naa isme bhoolne
wali kaun si baat hai meri didi sabkuch janti hai par mujhe jitna batana chahiye wo utna
hi batati hain

Nishkalika:- arre waah aap toh kafi samjhdaar ho gayi hain lagta hai aapke vivah ka samay
aa gaya hai Bhuvika ne palat kar dekha jahan uski didi uski taraf aa rahi thi

Bhuvika:- main koi shayadi vaadi nahi karne wali bata deti hun

Nishkalika:- aur wo bhala kyu?

Bhuvika:- do baatein hain pehli toh ye ki mujhe abhi tak koi pasand nahi aaya hai

Nishkalika:- aur dusri?

Bhuvika:- main kisi aur ke ghar kabhi nahi jaaungi main aap ke paas hi rahungi

Madox:- par shayadi ke baad toh pati ka ghar hi tumhara ghar hoga naa abhi Nishkalika
kuch kehti usse pehle hi Madox ne apni baat keh di Nishkalika ko Madox ki aankhon me
ye bolte waqt ek jigyasa dikhi thi jiska matlab wo achi tarike se samjhti thi

Nishkalika:- kyu? shadi ke baad pati ka ghar ki ladki ka ghar kyu hoga?

Madox:- arre ye riwaz so sadiyon se chala aa raha hai?

Nishkalika:- chala nahi aa raha hai tum mard zaat ye riwaz sadiyon se chalate chale aa
rahe ho aur kyu ki auroton me itni himmat nahi ki iss dakiyanusi riwaz ke khilaf kuch bolen
issliye ye bakwaas pratha aaj bhi kaayam hai par Bhuvika Nishkalika ki behan hai kisi
pratha ki kisi mard ki itni aukat nahi jo Nishkalika ki behan ko apne hissab se chala sake jis
bhi ladke ko hamari behan pasand karegi usse yahi hamare saath rehna hoga aur wo bhi
hamare behan ke hissab se

Madox:- koi bhi acha aur yogya ladka iske liye kabhi bhi nahi maanega

Nishkalika:- yogya? apne purusharth ko prathamikta dena kaha se ek yogya purush ki


nishani ho gayi ye bas ek ghatiya soch hai jo sadiyon ke iss rudi waadi mithya ko purush
ke dimag ne satya ka roop de diya hai par Nishkalika ki behan kisi bhi soch ke bandish me
nahi aati uski shayadi ussiki sharton ke hissab se hogi

Bhuvika:- didi aapse behter koi nahi ye bolkar Bhuvika Nishkalika ke gale lag gayi didi
hume aapse kuch kehna hai Bhuvika ki baat ko actually jis tarike se Bhuvika ne didi kaha
tha usse sunkar Nishkalika hans padi
Bhuvika:- aap hans kyu rahi hain?

Nishkalika:- kyu ki hame pata hai ki tum iss tarike se tabhi baat karti jab tumhe kuch
chahiye hota hai bolo kya chahiye?

Bhuvika:- pehle aap vachan dijiye ki hum jo bhi maanenge aap mana nahi kare ge
Nishkalika ne ek pal Bhuvika ki aankhon me dekha aur agle hi pal Nishkalika ke haathon
me ek talwar chamak uthi

Nishkalika:- Madox hamara ek kaam karoge? Madox toh Nishkalika ke haathon me talwar
ko dekhkar hi chonk gaya tha wo soch raha tha ki apni jis behan se Nishkalika itna zyada
pyar karne ka dawa karti hai uski ek khwahish pe usse marne ke liye talwar nikal li

Madox:- kaisa kaam?

Nishkalika:- jo bhi khwahish hamari behan hamare saamne rakhe agar hum uss khwahish
ko maanne ya puri karne se mana kar den toh iss talwar se hamara sar kaat dena Madox
Nishkalika ki baat sun kar shocked ho gaya wo kya soch raha tha aur ho kya gaya wahi
Bhuvika apni behan ki baat sunkar uske gale lag gayi

Bhuvika:- aap bhi naa di choti si baat ko kitna bada kar deti ho arre wo toh maine aise hi
puch liya tha mujhe pata hai ki aapke liye meri zid se upar kuch bhi nahi hai

Nishkalika:- tu ne bataya nahi ki tujhe kya chahiye?

Bhuvika:- hume apne liye kuch bhi nahi chahiye wo darasal hum jab ghumne gaye the toh
humne dekha ki aapke sainik kuch logon ko ghar se nikal rahe the humne jab wajah puchi
toh wo bole ki un logon ne ek mahine ka karz nahi chukaya hai issliye unke ghar par kabza
kiya jaa raha hai toh main chahti hun ki un logon ke karz ko maaf kar diya jaye Nishkalika
ke chehre par apni behan ki baat ko sunkar ek muskaan aa gayi wahi un dono ke saamne
khada Madox bhi ye dekhna chahta tha ki paap ki murat Nishkalika apni behan ki baat
maan kar apne swaroop ko chunouti degi ki nahi Nishkalika ne ek sainik ko jo wahi unse
thodi door par khada tha usse awaaz di wo daudta hua aaya aur Nishkalika ke saamne sar
jhukakar khada ho gaya Nishkalika ne Bhuvika ke sar par haath rakha Bhuvika ke sar se
kuch roshni nikli aur saamne hawa me ruk gayi uss roshni ne ek chal chitr (film) ka roop le
liya aur usme wo log dikhne lage jinhe Nishkalika ke sainik ghar se nikaal rahe the

Nishkalika:- jao aur sainkon se kaho ki un logon ke karz ko zindagi bhar ke liye maaf kar
diya gaya hai aur abhi tak un logon ko jitna bhi nuksaan hua hoga usse bhi bhar diya jaye
sainik sar jhukaaye hi waapas chale gaya
Nishkalika:- ab khush

Bhuvika:- bohat khush aap iss bramhaand ki sabse achi didi ho

Nishkalika:- galat tum iss bramhaand ki sabse pyari ladki ho ek aisi ladki jiski baat koi nahi
taal sakta Bhuvika ne Nishkalika ke gaal ko chum liya aur uchalti koodati mehel ke andar
chali gayi

Nishkalika:- paagal abhi tak iska bachpana nahi gaya Nishkalika jaise hi Madox ke taraf
palti usse hasi aa gayi kyu ki Madox usse aankhen faade dekh raha tha

Nishkalika:- pehli baar toh nahi dekh rahe mujhe phir tumhari aankhen kyu fati hui hain?

Madox:- tumhe naa sahi par tumhara ye roop toh pehli baar hi dekha hai naa tum itni
darya dil kabse ho gayi? Madox ki baat sunkar Nishkalika ke honthon pe muskaan naach
gayi

Nishkalika:- pehle mere ek sawal ka jawaab do? tum meri behan ko itna ghoor ghoor kar
kyu dekh rahe the? Madox Nishkalika ki baat sunkar hadbada gaya

Madox:- main main kaha ghoor raha tha

Nishkalika:- jhoot bolne ki zaroorat nahi hai Madox aur ek baat kaan khol kar sun lo meri
behan ka khayal apne dimag se nikal do jaise main tumhare bhai ke liye nahi bani thek
waise hi meri behan bhi tumhare liye nahi bani hai abhi Madox kuch kehta usse pehle hi
Nishkalika ne ek naam budbudaya agle hi pal Nishkalika ke saamne ek black sorcerer
prakat hua Nishkalika ne kuch der pehle toh chal chitra chal rahi thi usse fir se chala diya

Nishkalika:- in logon ko dhayan se dekho aaj raat tumhe in sab ko khatam kar ke jala dena
hai inke astitv tak ko raakh me mila do wo sorcerer ne bhi Nishkalika ke aage apna sar
jhukayea aur gayab ho gaya Madox jo ki apna paksh rakhne hi wala tha Nishkalika ka ye
roop dekar ek jhatka khaa kar reh gaya

Madox:- jab unhe maarna hi tha toh unka karz maaf kyu kiya? bas apni behan ke nazro
me acha dikhne ke liye

Nishkalika:- meri behan ne unke karz ko maaf karne ke liye kaha tha unhe zinda rakhne
ke liye nahi jab wo mujhe karz hi nahi de sakte toh jee kar kya kare ge issliye unhe mout
ki saza mili Nishkalika ne Madox ko ek zehrilli muskaan di aur nikal gayi Madox sochta reh
gaya ki saali ye chiz kya hai?

Planet: Earth Place: Dream Land Scene: 1


ye toh galat log nahi hain fir inki aatma kaali kaise ho gayi hai? arre maine abhi tak iss
matter ko samjha nahi arre kaha le jaa rahe ho mujhe un logon se baat karni hai unhe
thek karna hai mujhe

Scene change

ab ye kya jagah hai? ye patthar kyu hil raha hai? itni roshni kaha se aa rahi hai? jaa kar
dekhta hun ab ye kya bala hai?

Scene change:

arre yaar koi matter toh theek se samjhun har baat ko puzzle bana kar chhodna zaroori
hai kya? ab ye kaun si jagah hai? arre ye toh iska matlab ye wo jagah hai jahan? par wo
hai kahan?

Scene change

ab ye main kaha aa gaya? main koi dusre yug me toh nahi pahunch gaya? ab ye kaun hai?
aahhh fir wahi dard? par isse dekhkar kyu? kahi iske paas? nahi nahi iske andar toh dark
energy hai aur mujhe toh white energy ki talash hai? ek baar paas se dekhta hun?

Scene change

lo ab ye firse shuru ho gaya kuch bolna bhi bekar hai ab ye kaisi jagah hai? ek min ye toh
God's barrier hai par iske aage toh devil's barrier laga hai saala ab ye kaisi paheli hai? arre
aap? aap yaha kaise? nahiii ye kaise? iska matlab nahi nahi main ye nahi kar sakta

Scene change:

yaar waha toh ruk jata main wo nahi hone de sakta? nark wali feeling dekar swarg le aaya
tu tum nahi nahi ye nahi ho sakta ye kaisi jagah hai? aur ye mere saath kyu hai? arre nahi
yaar abhi nahi arre arre andhera kyu ho gaya usse kahi kuch ho naa jaye mujhe kamse
kam ye toh dekhne de ki wo sahi salamat hai yaa nahi arre haashhh kamse kam wo toh
thek hai par uske paas jaa raha hun gayab mat kar dena arre ye toh nahi nahi aisa kaise
ye yaha arre ye kya aur kyu? adbhudh

Scene change:

pehli baar thanks pura scene toh dikha par laya kaha hai iss baar? chalo aage chalkar pata
karta hun waise jagah darawani si hai tum yaha bhi iski kya zaroorat hai? ab ye kaun hai
arre iske gaal me ye? arre firse ye ho kya raha hai isse ab ye dard bhara shor kaisa? chal
kar dekhta hun ye ladki mere aage aage kyu chal rahi hai? issike piche ho leta hun arre ye
sab log? inhe bhi mere kaan baje ki mujhe sach me sunayi diya nahi nahi mujhe sach me
uska naam sunayi diya aur fir usne kuch bola aur jaise mere dimag me uski boli hui baat
gunji meri neend toot gayi aur main ek jhatke me uth kar baith gaya

Main:- saala aaj toh mere saath ajeeb chutiyapa hua oh shit hua ye ki maine time dekha
toh mujhe jhatka laga kyu ki abhi subah ke 8 baj rahe hain ye mere life me first time tha
jab main itni der tak soya tha maine apna mobile check kiya Anjali aur Ronit ke 55 miss
calls the

Main:- kamal hai itni gehri neend ki mujhe mobile ki ring bhi sunayi nahi di aisa toh tab
bhi nahi hua tha jab mere paas koi shakti nahi thi phir achanak mujhe apne sapne yaad
aaye aisa kuch bhi mere saath pehli baar hua tha kuch der tak mera dimag inhi sab baaton
me uljha raha par fir maine apna dimag jhatka kyu ki main already college ke liye late ho
chuka tha main turant bathroom me ghusa aur fresh hokar shower lene laga baaki ke
hisse toh nahi par mere dimag me mere sapne ka ek hissa bohat zyada ghum raha tha
main chaah kar bhi usse bhul nahi paa raha tha khair main fatafat ready hokar neeche
aaya jahan meri family baithi hui thi maine sabko baari baari good morning greet kiya aur
breakfast karne baith gaya par braekfast karte waqt bhi mera dimag mere sapne ke ussi
hisse par atka hua tha mera breakfast kab khatam hua mujhe pata hi nahi chala

Main:- ok bye every body

Dad:- ek minute beta maine abhi bahar jane ke liye kadam badhaye hi the ki dad ki awaaz
sunkar main ruk gaya

Main:- ya dad whats up?

Dad:- kuch baat karni hai chalo main bhi tumhare saath bahar tak chalta hun

Mom:- kya hua? kya baat karni hai aapko mere bete se jo yaha nahi kar sakte

Dad:- business related baat hai Minu ab hamara beta commerce padhne laga hai toh
maine socha ki usse kuch tips lelun

Mom:- aap bhi naa khud toh hamesha business me uljhe rehte hain aur ab mere bete ko
bhi ussi me uljha rahe hain

Main:- oh come on mom aakhir ye sab bussiness aage chalkar mujhe hi toh sambhalna
hai toh abhi se kuch kuch pata rahe toh acha rahega naa

Mom:- chup dad ka chamcha


Nana ji:- beta wo galat thodi na bol raha hai ulta tumhe toh khush hona chahiye ki mera
pota abhi se apne dad ko aaram dene ke bare me soch raha hai

Main:- exactly thanks nanu lets go dad main aur dad bahar ki taraf nikal gaye waise mujhe
pata tha ki dad ne mujhe kyu roka hai par main unke dimag ke saare vicharon ko padhne
se khud ko rok diya tha bhale hi main kuch bhi kyu na ban jaaun pita ki baaton me jo logic
hote hai unhe magic se samjhna galat hota

Main:- ji dad boliye?

Dad:- main nahi tum bolo what's the problem?

Main:- problem kaisi problem? mujhe toh koi problem nahi hai dad meri baat sunkar kar
muskura diye

Dad:- beta main janta hun ki ab tum kafi intelligent ho ab bade bhi ho gaye ho tumhari
apni ek life hai par in sab baaton se ye zaroori toh nahi hai naa ki tum har problem ko
khud hi solve kar lo kabhi kabhi apni problems bata dene se solution apne aap nikal aata
hai ya fir ab tum mujhe apna life line nahi maante?

Main:- aisa kuch bhi nahi hai dad aap hi mere life line the hain aur hamesha rahenge

Dad:- toh fir batao aisa kaun si paheli hai jo mera super intelligent solve nahi kar paa raha
hai

Main:- kabhi kabhi zyada hoshiyar hona bhi galat hota hai dad isse aapko saare jawab pata
hote hain aur saare jawab pata hona hamesha acha nahi hota par usse bhi bura hota hai
jab aap sab jante hain aur aapko pata hota hai ki jo bhi aap jante hain wo theek nahi hai
fir bhi aap kuch nahi kar sakte aise me kaisa lagta hai ye imagine karna bhi mushkil hai

Dad:- tumhe pata hai ki tumhare paida hote waqt kya hua tha?

Main:- haan mom ne bataya tha ki unki jaan ko khatra tha

Dad:- aaj ki taarikh me main agar sabse zyada pyar karta hun toh wo tumse karta hun my
son par pata hai jab Dr ne mujhe bataya tha ki Minu ki delivery me complications hai aur
maa aur bacche dono me se kisi ek ko hi bachaya jaa sakta hai toh maine tumhari maa ko
chuna tha aur pata hai tumhari mom ne mere faisle ko maanne se inkar kar diya tha wo
tumhe paida karna chahti thi uski bas itni si khwahish thi ki tumhe ek baar dekh sake uss
din toh mujhe uske faisle par bohat ghussa aaya tha par dheere dheere mujhe ye ehsas
hua ki wo apni jagah bilkul sahi thi hum har cheez ko jaan toh sakte hain par usse control
nahi kar sakte hume bas khud kya karna hai wahi tay karne ka hak hota hai aur baaki sab
waqt aur upar wale par chhod dena hota hai ho sakta hai ki jo result nikle wo hume acha
na lage par har cheez jo achi na lage wo buri ho ye zaroori nahi hota aaj ek baar fir saabit
ho gaya tha ki bina taklif ki jad ko jane agar koi rooh tak ko sukoon dila sakta hai toh aisa
chamatkar sirf ek pitah hi kar sakta hai maine dad ko ek baar hug kiya aur college ke liye
nikal gaya

In College:

Anjali:- toh Miss valentine party kab de rahi hai?

Avantika:- dheere se Mr valentine ko toh aa jane de

Anjali:- kya kaha?

Avantika:- kuch bhi toh nahi waise ye Vj kaha reh gaya

Ronit:- pata nahi aaj subah jogging karne bhi nahi aaya aur phone bhi nahi utha raha

Avantika:- ek aur baar try kar

Shanaya:- uski zaroorat nahi hai wo dekho Vj aa raha hai

Vj:- hey guyzzz sorry haan main thoda late ho gaya

Anjali:- thoda tu pure do lectures ke baad aa raha hai?

Main:- haan yaar aaj neend hi nahi khuli meri baat sunkar Anjali aur Ronit ko shock laga
par dono chup hi rahe

Shanaya:- matlab teh great Vj bhi perfect nahi hain unse bhi chuk ho jati hai Shanaya ki
baat sunkar sab hans diye

Avantika:- (mann main) kal raat kitna acha mouka tha main apne dil ki baat Vj se keh sakti
thi par jab bhi sochti hun ki isse apne dil ki baat kahugi pata nahi aisa kyu lagta hai jaise
mujhe andar hi andar koi rok raha hai aisa karne se

Main:- abhi time nahi hua hai ye baat maine Avantika ki aankhon me dekhkar kahi thi jise
sunkar wo hadbada gayi

Shanaya:- kis cheez ka time?

Main:- arre main puch raha hun ki third lecture ka time nahi hua hai kya?

Shanaya:- oh shit do minute upar ho gaye lets go guys


Anjali:- hum aate hain tum dono jaao Avantika aur Shanaya class ki taraf nikal gaye

Ronit:- chal bhai shuru hoja maine Ronit ko ghur kar dekha

Ronit:- tere ghurne se main darne wala nahi hun

Anjali:- sahi kaha hume sach sach bata ki aisa kya hua tha ki tu aaj nahi aaya maine ek
lambi saans chhodi aur maine jo bhi sapne dekhe the wo sab kuch dono ko bata diya

Ronit:- saala aadhi se zyadi baat toh samjh hi nahi aayi

Anjali:- wo sab chhod Vj tu ne bataya ki tu ne sapne me do ladkiyan dekhi thi jisme se ek


ka naam bhi tune suna tha aur usse kuch batate hue bhi tu ne suna tha jiske bare me tujhe
kuch bhi nahi maalum

Main:- haan par naam main dono ladkiyon ke hi janta hun

Dono:- what iska matlab pehli wali ladki ka naam tu pehle bhi kabhi sun chuka hai

Main:- kabhi kya har roz sunta hun main hi kya tum dono bhi sunte ho

Dono:- hum bhi sunte hain? kaise matlab kaun hai wo ladki?

Main:- Avantika iss baar toh dono aise uchle jaise dono ke seat ke niche kisi ne spring laga
diya ho

Anjali:- apni Avantika

Ronit:- par wo waha kya kar rahi thi? (maine dono ko sirf itna bataya tha ki maine apne
sapne me Avantika ko dekha tha aur kuch nahi)

Main:- abbe maine bataya na ki jaise hi uska chehra aaya scene change ho gaya

Ronit:- arre haan

Anjali:- aur dusri ladki?

Main:- Analia

Ronit:- ye wahi ladki hai naa jisne kuch aisa kaha tha jiske bare me tu bhi kuch nahi janta

Main:- haan

Dono:- kya?

Main:- Curse of the Sweet Poison


Planet: Earth Place: Dream Land

ye kaunsi jagah hai? aisa lag raha hai jaise main yaha pehle bhi aa chuki hun arre ye toh
Avantika iss waqt apne pichle janam ke yug me apne ghar ke peeche khadi hui thi jise usse
pehchaanne me thoda waqt laga par usne uss jagah ko pehchaan liya

Avantika:- main yaha kaise? ye sab kya ho raha hai? kaisi ho putri ye awaaz Avantika ke
piche se aa rahi thi awaaz sun Avantika turant palti

Avantika:- Babaaa apne saamne apne pita Guru Vishisht ko dekhkar Avantika ke aakhon
se aansu nikalne laga Baba bas ek hi shabd nikal paya uske mouh se Avantika doud kar
gayi aur uske pitah ke gale lag gayi

Baba:- kya hua putri? mujhe toh laga tha ki mujhe punah apne saamne dekhkar tum
prassan ho jaogi kintu tum toh ro rahi ho?

Avantika:- ye khushi ke aansu hai Baba aapko apne saamne dekhkar mujhe kitna acha lag
raha hai ye main aapko bata nahi sakti mujhe toh ummid hi nahi thi ki main aapko firse
dekh paaungi aur ab main aapko kahi bhi nahi jane dungi aap hamesha mere saath hi
rahenge

Guru Vishisht:- putri kya tumhe yaha kuch bhi ajeeb nahi lag raha? ab tak Avantika normal
ho chuki thi

Avantika:- haan Babaye jagah toh mere pichle janam ki hai wo saamne hamara uss waqt
ka ghar hai

Guru Vishisht:- haan putri ye tumhare pichle janam ka hi gaon hai

Avantika:- kintu Baba? hum yaha kaise?

Guru Vishisht:- kisne kaha ki tum yaha aayi ho? Avantika ko apne pita ki baat ka matlab
samjh nahi aaya

Avantika:- main samjhi nahi Baba?

Guru Vishisht:- tum abhi ek swapn me ho putri ye jo kuch bhi tum dekh rahi ho ye sab
tumhare mastishk me ho rahi rachna hai Avantika apne pita ki baat ko sunkar pehle
shocked hui par fir kuch sochkar ekdum udaas ho gayi

Guru Vishisht:- kya hua putri? tum udaas kyu ho gayi?


Avantika:- agar ye mera sapna hai iska matlab ye sab bas ek jhoot hai aap sirf mere sapne
ka ek hissa hain aur mere aankh khulte hi sab pehle jaisa ho jayega Guru Vishisht apni
putri ki baat ko sunkar muskarye aur phir kaha

Guru Vishisht:- putriye sapna zaroor hai kintu satya bhi hai ye sach hai ki ye saari cheezen
tumhare dimag me chal rahi hain par ye bhi utna hi sach hai ki main tumse milne aaya
hun Avantika toh bas apne pita ki baat ko theek se samjhne ki koshish kar rahi thi

Avantika:- aap keh rahe hain ki ye sapna sapna hokar bhi ek haqiqat hai? par ye kaise
mumkin hai?

Guru Vishisht:- parmeshwar ke liye aur uske putr ke liye kuch bhi asambhav nahi hai putri

Avantika:- mujhe aapki koi bhi baat samjh me nahi aa rahi hai Baba

Guru Vishisht:- dheere dheere sab samjh jaaogi putri pehle apne gaon toh ghum lo tumhe
bohat icha ho rahi thi na ek baar apne pichle janam ki maatrubhumi ko phir se dekhne ki

Avantika:- haan Baba par aapko kaise pata? kya issliye aapne iss sapne ko mere dimag me
daala hai taaki main apne gaon ko ek baar fir se dekh sakun

Guru Vishisht:- putri mera jeevan kaal samapt ho chuka hai ab mujhme itni shakti ya
saamartya nahi hai ki main aisa kuch kar sakun tumhari iccha ko pura karne me kisi aur ka
haath hai aur main swayam bhi ussi ke aadesh ke kaaran mrtyu ke paschat bhi tumse
punah mil paya hun waise toh Avantika ko abhi tak kafi jhatke lag chuke the par ye baat
uske liye sabse bada jhatka tha

Avantika:- kaun Baba? kaun hai wo jisne ye sab kiya hai aur wo bhi mere liye

Guru Vishisht:- maine kahana putri dheere dheere sab samjh jaaogi chalo apni icha puri
kar lo

Avantika:- ji Baba Avantika apne pita ke saath apne gaon ko ek aur baar dekhne nikal padi
apne gaon ko punah ek baar apne sapne me hi sahi par apne aakhon ke saamne dekhkar
Avantika bohat khush ho gayi thi aur wahi Guru Vishisht apni putri ko khush dekhkar
khush ho rahe the idhar udhar dekhte hue Avantika apne pichle janam me kiye gaye saare
shararate saare khele gaye khel apne pitah ko batati jaa rahi thi fir ek jagah aakar Avantika
ruk gayi uske saamne jo tha usse dekhkar uske chehre par khushi excitement aur nirasha
teeno bhaav ek saath aa gaye the Avantika ke chehre ke in badalte bhaA one ko uske pita
ne dekh liya
Guru Vishisht:- kya hua putri? kya soch rahi ho? Avantika ne kuch nahi kaha balki apni
ungli saamne kar di Avantika ke saamne ghaas ke borders ke beech reth rakhi hui thi jiske
taraf usne apni ungli point ki thi

Guru Vishisht:- mal mitti

Avantika:- haan Baba mal mitti ek aisi chamatkarik mitti jise bane ghade ya katori ke andar
agar ganda paani bhi rakha jaye toh wo paani bhi saaf ho jaaya karta hai jise bane bartan
ya kadhayi me agar ganda ya sadaa hua khaana bhi rakha jaye toh wo bhi swach ho jata
hai

Guru Vishisht:- hame ye baaten gyat hain putri

Avantika:- pata hai Baba main hamesha se iss mal mitti ke raaz ko suljhana chahti thi
mujhe pura yakeen tha ki isse aur bhi bohat kuch kiya jaa sakta hai par main iss haqiqat
ko be parda karne se pehle hi mar gayi

Guru Vishisht:- pichle janam ke adhure karmo ko yaad karke afsos karne se kuch prapt
nahi hoga putri Avantika ne bas apni mundi haan me hila di par tabhi usse kuch yaad aaya

Avantika:- Baba aapne kaha tha ki ye sab mera sapna hone ke bawajud bhi ek haqiqat hai

Guru Vishisht:- haan putri ye kehte waqt Guru Vishisht ke honton par ek samjhane aur
santushti bhari muskurahat aa gayi jaise ki wo jante hon ki unki putri aage kya kehne wali
hai

Avantika:- toh kya main iss mal mitti ko ek baar chuu sakti hun?

Guru Vishisht:- awashya putri Avantika aage badhi aur usne ek haath me uss mal miiti ko
utha liya par tabhi

Avantika:- arre ye kya hua? aur ye kaun si jagah hai? hua ye ki Avantika ke mal mitti ko
uthate hi Avantika ke haath me ek roshni hui aur wo mitti gayab ho gayi itna hi nahi mitti
ke gayab hote hi ek aur baar har taraf tez roshni hui aur Avantika aur uske Baba jahan
khade the wo jagah bhi badal gayi ab wo dono ek anthi n roshni se bhari jagah ke beech
khade the

Guru Vishisht:- tum tumhare swapn ki duniya ke sarhad par hain putri kisi bhi waqt tum
apni neend se jaag sakti ho apne Baba ki baat sunkar Avantika ki aankhon me ek baar firse
aansu aa gaye

Avantika:- kuch kijiye na Baba main aapse firse alag nahi hona chahti
Guru Vishisht:- putri main toh kabka sansaar tyag chuka hun tumhe toh khush hona
chahiye ki mere marne ke baad bhi tum mujhse mil payi

Avantika:- toh kya aap firse mujhse milne nahi aayenge

Guru Vishisht:- maine pehle bhi kaha tha putri ki mujhme itna saamarthya nahi hai ki khud
yaha tumse milne aa sakun Guru Vishisht ki baat sunkar achanak Avantika ko kuch yaad
aaya

Avantika:- Baba agar aap apni marzi se yaha mere paas nahi aa sakte toh fir uss din
Digvijay ke ghar me aapne mujhe kaise bachaya? apni beti ki baat sunkar Guru Vishisht ke
chehre par ek muskaan aa gayi

Guru Vishisht:- tumhe kisne kaha ki maine tumhe Digvijay se bachaya tha? Avantika ko
toh abhi tak yahi lag raha tha ki uss din usse uske pita ne hi bachaya tha par apne pita ki
baat sunkar Avantika ko ek jhatka laga

Avantika:- kya? toh kya aapne mujhe nahi bachaya? toh fir kisne? Guru Vishisht aage
badhe aur unhone apni putri ke sar ke upar haath rakh diya Avantika ke dimag ke andar
ek jagah ki photo dikhne lagi

Avantika:- ye jagah toh

Guru Vishisht:- abhi jab tumhari neend khulegi toh tum iss jagah par chale jana tumhe sab
pata chal jayega aur jaise hi Avantika ne haan me sar hilaya uss jagah par ek tez roshni
chamki jise Avantika ki aankhen band ho gayi aur agle hi pal jaise hi Avantika ki aanken
khuli toh wo apne room me thi iska matlab iss baar uski aankhen uske sapne me nahi balki
haqiqat me khuli thi Avantika jhat se uthkar baith gayi aur abhi abhi jo bhi hua uske bare
me sochne lagi apne pitah ko ek baar firse milkar kabhi uske chehre par muskaan aa jati
toh kabhi apne Baba se firse bicchadne ka ehsaas hote hi wo maayus ho jati ki tabhi usse
apne pita ki aakhri kahi hui baat yaad aayi ki neend khulte hi usse ek jagah par jana hai
Avantika jhat se apne bed se koodi aur fresh hokar apne pita ki batayi jagah par nikal gayi

Planet: Earth Place: Magical Dimension

saale ek number ke dheeth hain hum jo bhi sochte hain inhe pehle se hi pata chal jata hai
clone combat pichle 10 dino se Anjali aur Ronit har din 12 ghante lagatar clone combat
fighting ki training kar rahe hain par abhi tak apne clones ko harane me dono hi kaamiyab
nahi ho paye hain main dono se thodi hi door baitha unki haalat ko dekh kar muskura raha
tha
Anjali:- haan yaar samjh hi nahi aa raha hai ki inpe kaun sa daav aazmaayen ye Vj bhi naa
najane iske dimag me kaise kaise ideas aate rehte hain jinka use ye hamare upar hi karta
hai

Ronit:- aur uske upar baith kar hans raha hai kamina

Main:- abbe asli fight me bhi itna time loge kya? tumhara dushman tumhare soch ko idea
me badalne tak ka wait toh nahi karega asli fight me har cheez reflex hoti hai har ek second
jise tum sochne ke liye use kar rahe ho asli ladhayi me utne hi baar tum dono hi mar chuke
hoge

Ronit:- bhai bolna jitna aasan hai karna utna hi mushkil hume khud se hi ladna pad raha
hai aise me hum apne clone par kaise koi bhi vaar succesfully kar sakte hain? uske paas
toh hamare har waar ka jawab toh hoga hi naa Ronit ki baat sunkar me muskuraya aur
khade ho gaya

Main:- ye baat tu nahi tere andar ka wo yodha bol raha hai jisne haar maan li hai yudh
sharirik ho ya maansik attitude hona zaroori hai kyu ki issi se hamare liye gaye har faisle
me nikhaar aata hai swayam pratikrati self cloning maine apne sar se ek baal toda aur
spell bolkar baal ko fek diya wo baal hawa me lehrata hua zamin ki taraf jane laga aur jaise
hi wo baal zamin se takray aus jagah par dhua chaa gaya aur jab dhua chatta toh waha
mera clone khada tha aisa hi ek clone maine 1st chapter me Guru Vishakht ke saath bheja
tha iss clone ke dimag me wo saare daav pench hote hain jinka use main karta hun

Main:- tum sab thoda side ho jaao mere kehte hi original aur fake Ronit aur Anjali charon
ek side me ho gaye

Main:- pravaha avidhyati current swing spandolika spin backwards & forward jalam
parigrah water force prati lomaka abhisara reverse attack maine ye chaar mantra ek ke
baad ek lagatar bole the par pehle do mantra ka uccharit hona ek sa tha wahi teesre aur
chouthe mantron ka uccharit hona alag wo issliye kyu ki pehle do mantra maine soch kar
bole the par teesre aur chouthe mantra mere mouh se apne aap nikle the unhe uccharit
karne se pehle mere dimag me bas yahi khayal aaya tha ki mujhe apne clone ko nuksaan
pahunchana hai mere pehle mantra ke bolte hi mere sharir se current ki rays nikalkar
mere saame khade clone ki taraf jane lagi mere clone ne apne haath aage kiye taaki uske
paas aane se pehle hi rays khatam ho jayen par tabhi mere dusre spell ke prabhav me
aakar wo current rays aage aur piche dono taraf se float karte hue mere clone ki taraf jane
lage mera hamla aur ghatak ho chuka tha par mere clone ke liye isse handle karna koi badi
baat toh thi nahi mere clone ne apni hi jagah par gol gol ghumna shuru kar diya jiski wajaa
se uske har taraf hawa ka ek bawandar uth gaya aur jaise hi mere dwara chhode gaye
durrent rays uss bawandar ke paas pahuncheus bawandar ne current rays ko apne andar
kheench liya current rays ke bawandar ke andar jaate hi bawandar ke ghumne ki speed
aur badh gayi aur kuch hi palon me uss bawandar ne current ki saari urja nichod li par
tabhi mere dwara bole gaye teesre spell ne apna aadhe se zyada kaam kar diya tha jaisa
ki maine bataya ki maine aakhri ke dono mantra ko bina soche bola tha issliye mera teesra
spell jo ki water force ka tha usne uss bawandar ko jo ki lagbhag khatam ho hi gaya tha
uske beech se hote hue mere clone ke body se takraya ye hamla bohat ghaatak tha par
kyu ki mere clone ka body bhi meri hi tarah tha issliye usse zyada kuch hua nahi bas usse
apne sharir me halka dhakka sa laga aur wo thoda piche ho gaya par main itna hi chahta
tha mere spell ko naa rok paane aur peeche ki taraf hatne ki wajah se mere clone ka dimag
ghuma aur tabhi mere 4th spell ne apna kaam kar diya mera choutha spell mere clone ke
bole gaye spell ko wapas ussi ki taraf ghumane ka tha piche hatte hi mere clone ne
mujhpar ek energy ray se hamla kiya par uska chodda gaya ray thoda aage jaakar wapas
ghum gaya aur jaakar usse se hi takra gaya kyu ki ye ray uski khud ki shakti ka ek roop tha
issliye uss ray ke takraate hi mera clone door jaakar gira wahi maine jaise hi mere clone
ke chhode gaye energy ray ko wapas ghumte hue dekha mere haathon me ek talwar
chamak gayi main apne sthaan se saamne ki taraf kuda aur ray ke prabhav se mera clone
jahan just gira tha main ussi jagah par pahunch gaya aur agle hi pal meri talwar bijli ki
speed se chali mera clone jo abhi tak ye samjh nahi paya tha ki hua kya hai wo mere iss
hamle ko sambhal nahi paya aur mere talwar uske aar paar ho gaya uske sharir par talwar
ka sparsh hote hi wo dhua ban kar gaayab ho gaya tha aur mera talwar ussi dhuen ke aar
paar hua tha mere clone ke gaayab hone ka matlab tha ki main jeet gaya hun apne clone
ko harakar maine apni talwar gayab ki aur jaise hi palta toh mujhe hasi aa gayi mujhse
kuch hi door mere dono dost mujhe aankhen faade dekh rahe the main chalte hue unke
saamne pahunch gaya

Anjali:- tune ye kaise kiya?

Main:- nazariya babes attitude jab tak ye nahi badloge kuch bhi haasil nahi kar paaoge
apne dimag se iss baat ko nikal do ki ye nahi ho sakta sab kuch apne aap ho jayega maine
jo bhi kiya bina soche samjhe kiya isse reflex attack kehte hain isme bas hume itna hi pata
hota hai ki hume saamne wale par hamla karna hai par last moment tak ye nahi pata hota
ki hum kaisa hamla karne wale hain jab hume hi nahi maalum hoga ki hum kya karne wale
hain toh hamare dushmano ko kaise kuch pata hoga? usne jitna bhi hamare upar home
work kiya hoga wo sab fail ho jayega
Ronit:- amazing dude aur ab main bhi sab samjh gaya hun ab dekh main bhi kaise isse
harata hun Ronit ne apne side me khade apne clone ko dekhkar kaha

Anjali:- main nahi hum

Main:- bilkul par aaj nahi kal aaj ke liye mera tum dono ko diya gaya ye demonstration hi
kafi hai ghar jao aur aaj maine jo bhi kiya uske bare me thek se socho fir kal tum dono
aakar apni practice aage badhana

Ronit:- ye bhi thek hai par ek second hum dono matlab? tu kal nahi aayega kya?

Main:- nahi mujhe kahi jana hai

Dono:- kyu? aur kahan? aur jaise hi maine dono ko kal mere naa aane ka kaaran bataya
dono mere upar kud gaye

Ronit:- saale aaj tujhe nahi chhodenge

Anjali:- aur nahi toh kya tu bhul gaya tu ne kya kaha tha hum dono se?

Main:- abbe meri baat toh suno

Ronit:- nahi sunna teri koi baat tu fir hum dono ko apni baaton me lapet lega

Main:- nahi bhai aisa kuch nahi hoga ek baar sun toh le

Anjali:- acha bol par koi dialouge maara na toh tujhe chhodenge nahi ye bolkar Anjali ne
mujhe chhod diya ab gf ne kuch bola ho aur bf na sune aisa toh hoga nahi isliye Anjali ke
mujhe chhodte hi Ronit ne bhi mujhe chhod diya fir main un dono ko aage ke bare me
kuch kuch batata chala gaya meri baat sunkar dono khush ho gaye

Ronit:- tu sach bol raha hai naa kahi goli toh nahi de raha hai

Main:- nahi bhai

Anjali:- par abhi hi kyu nahi

Main:- wahi batane jaa raha hun maine apna haath aage kiya mere haathon se ek roshni
nikli aur ek baar firse hamare saamne mera clone aa gaya

Anjali:- ab iski kya zaroorat hai

Main:- meri jagah ye tum dono ek saath jayega isse pehle ki un dono me se koi iski wajah
puchta main unhe kuch baatein batane laga jise sunkar wo shocked ho gaye
Ronit:- par tu ne aisa kyu kiya?

Main:- har baat main tum dono ko abhi nahi bata sakta yaar par bharosa rakho ye zaroori
hai aur sahi waqt aane par tum dono ko apne aap pata chal jayega Ronit fir bhi mujhe se
kuch puchna chaahta tha par Anjali ne usse aisa karne se rok diya

Anjali:- thek hai toh ab kya?

Main:- aur kuch nahi bas isse lekar jahan se maine bola hai waha se hi bahar nikalna aur
fir tumhe kya karna hai ye toh tumhe bata hi chuka hun

Ronit:- thek hai par hum intezar kare ge

Main:- pata hai aur agle hi pal main gayab ho gaya Ronit aur Anjali ne ek lambi saans
chhodi aur mere clone ke saath milkar ek jagah unhone magic door banayi aur gayab ho
gaye Ronit ne ek sunsaan jagah chuni thi uss Magical Dimension se bahar aane ke liye par
jaise hi teeno bahar aaye unke saamne koi khada tha jo un teeno ko aankhen fade dekh
raha tha par Ronit Anjali aur mere clone ko apne saamne wale ko dekhkar normal hi rahe
maano unhe pehle se pata tha ki yahi hone wala hai Ronit ne apne piche khule magic door
ko band kar diya

Anjali:- what's up Avantika?

Planet: ****** Place: *******

Main:- uth jaiye mere saamne jo apne ghutno ke bal baitha hua tha mere bolne par wo
khada ho gaya par ab bhi uska sar neeche hi tha maine ek lambi saans chodi aur apne
saamne ke nazare ko dekhne laga

Main:- toh finally mera safar shuru ho gaya aur mere saamne hai mere safar ka pehla
padhav the World of Warriors

Planet: Earth Place: Magical Dimension

wow what a place yaar but hang on mujhe aisa kyu lag raha hai ki maine iss jagah ko kahi
dekha hai subah ka waqt hai har din ki tarah Ronit aur Anjali aaj bhi Magical Dimension
me clone combat ki training karne aaye hain par aaj un dono ke saath ek additional pack
bhi aaya hai ya yun kahu ki aayi hai aur ye additional pack aur koi nahi hamari pyari
Avantika hai kal Avantika ko apne saamne dekhne ke baad se ab tak kya kya hua tha ye
janene ke liye chaliye thoda piche chalte hain

Small Flashback:
kal Avantika ne Vikram Anjali aur Ronit ko magic door se bahar aate hue dekh liya tha par
Vikram ne pehle hi Ronit aur Anjali ko ye baat bata diya tha ki aaj bahar jaate hi unka
saamna Avantika se hoga par Ronit Anjali aur Vikram ke clone ne Avantika ke saamne
shocked hone ka naatak kiya Vikram ne unhe usse kya kya batana hai ye bhi bata diya tha
dono ne Vikram se iska reason bhi pucha jise Vikram ne baad me batane ka keh kar taal
diya tha khair Avantika toh teeno ko yun ek jaaduyi darwaaze se bahar aate dekh kar
shocked ho gayi thi thodi der baad jab wo apne shock se ubhri toh usne teeno ke upar
apne sawalon ki jhadi chhodna shuru kar di Anjali ne usse sab kuch batane ka waada kiya
par college me college me teeno first lecture ke waqt hi canteen me baith gaye kyu ki ek
yahi waqt tha jab Shanaya unke saath nahi ho sakti thi Avantika ne sabse pehle Vikram
(clone) se ye pucha ki kya usne hi usse Digvijay se bachaya tha tab Vikram ne usse bataya
ki usse pehle se hi Digvijay par shak tha ki wo koi sahi ladka nahi hai issliye uski nazar
shuru se hi uspar thi fir jab uss din Avantika uske saath farm house gayi toh wo bhi uske
piche piche waha pahunch gaya aur mouka milte hi wo Avantika ko lekar gayab ho gaya
par uske baad kya hua Digvijay ke farm house me aag kaise lagi Digvijay kaise maara gaya
ye usse bhi nahi maalum Avantika ne jab teeno se pucha ki unke paas super natural
powers kaha se aayin toh Ronit ne usse ye bataya ki Vj ke paas shuru se hi super natural
powers thi aur ussi se un dono ko bhi kuch super natural gifts mile hain unhone Avantika
ko jab ye bataya ki wo daily ek jaaduyi jagah par jaakar har din training karte hain toh
Avantika ne bhi unke saath jane ki zid ki jise unhone maan liya par Avantika ne Ronit aur
Anjali ko bhi ek jhatka de diya tha Avantika ne Ronit aur Anjali ko ye kaha ki usse Vikram
kuch alag lag raha hai usse aisa lag raha hai jaise uske saamne Vj nahi balki uska hum
shakal khada hai Ronit aur Anjali ne Avantika se kuch kahanahi bas hans diye Avantika ne
bhi zyada gour nahi kiya aaj Magical Dimension me sirf Avantika Ronit aur Anjali hi aaye
the Ronit ne Avantika ko bataya tha ki aaj unka koi test hai issliye Vikram nahi aaya aur
jaise hi teeno Magical Dimension me pahunche pehle toh Avantika iss jaaduyi jagah ko
dekhkar khush ho gayi par fir usse aisa lagne laga jaise wo iss jagah ko pehle bhi dekh
chuki hai issliye usne Ronit aur Anjali se iss jagah ko lekar sawal kiya tha

Flashback ends:

Ronit:- pehle bhi aa chuki ho arre ye jagah asli nahi kaalpanik hai jise Vj ne hamare training
ke liye banaya hai

Anjali:- exactly tumne koi sapna dekha hoga Anjali ki boli gayi baat se Avantika ke dimag
ka bulb jala
Avantika:- sapna exactly sapna maine ye jagah apne sapne me dekhi hai aur wo bhi kal
mere sapne me kal main apne pitah ke saath aakhri me yahi toh aayi thi jahan iss jagah ki
asliyat jaankar Avantika shocked ho gayi thi wahi Ronit aur Anjali bhi dono ye toh samjh
gaye the ki ye ab Vj ka kiya dhara hai par wo samjh nahi paa rahe the ki Vj ne aisa kyu kiya
hai? par wo dono ye bhi jante the ki Vj koi bhi kaam bina wajah nahi karta hai

Anjali:- arre tumne apne sapne me isse milti julti koi jagah dekhi hogi

Ronit:- exactly aur aisa hona common hai ab baaki ki baatein baad me karte hain abhi
fatafat training start karte hain

Anjali:- right wahi Avantika ka dimag ab bhi pura shant nahi hua tha par filhal ke liye usne
bhi apne dimag ko jhatak diya

Ronit:- clone combat training ke liye hum tayar hain Ronit ke aisa bolte hi unse thodi door
par unke saamne un dono ke clones prakat hue jahan apne clones ko dekhkar Anjali aur
Ronit excited dikh rahe the wahi Avantika ka toh dimag hi fuse ho gaya tha ki tabhi Anjali
ki nazar Avantika par gayi jo mouh faade unke clones ko dekh rahi thi

Anjali:- Avantika ye hamare clones hain inhi ke saath hume clone combat fighting ki
training karni hai

Avantika:- wow yaar bada maza aane wala hai main toh bohat excited hun ye dekhne ke
liye ki tum dono kaise ladte ho

Anjali:- thek hai fir shuru kare Ronit ne haan me mundi hiladi aur agle hi pal dono ke
haathon me ek ek talwar chamakne lagi aaj dono ki aankhon me ek alag hi confidence
dikh raha tha dono ne ek dusre ki aankhon me dekh kar kuch ishara kiya aur agle hi pal
Ronit ne ek unchi jump li Ronit ke jump lene ke agle hi pal Anjali ne bhi thek ussi ki tarah
ek jump li dono ne hi apne apne jumps me same force apply kiya tha Ronit hawa me kala
baazi khata hua apne clone se kuch 6 feet dur apne ghutno ke bal land hua aur just uske
agle hi second Anjali bhi kala baazi khaate hue theek Ronit ke peeth ke upar land hui par
ye un dono ke pehle daav ka end nahi balki ek start tha Ronit ke back pe Anjali ke pair
jamte hi Ronit ne apni body ko upar ki taraf ek jhatka diya aur ussi waqt Anjali ne bhi apni
shakti apne panjo me daal apne aap ko saamne ki taraf dhakel diya

Anjali ki body ek teer ki tarah saamne ki taraf badhi bas teer aur Anjali me bas fark itna hi
tha ki teer sidha jata hai jabki Anjali ki body tezi se gol gol ghumte hue aage jaa raha tha
Ronit aur Anjali ke clones ek saath hi khade the Anjali ne theek unke beech apni talwar
kar di dono clones ek ek side ho gaye par tabhi ek saath do cheeze huin Anjali ne apne
dono haathon se talwar ke mooth ko pakda aur beech se kheench diya Anjali ke haath me
ek talwar thi Anjali ke kheenchte hi wo do ho gayi aur ab Anjali ke dono haathon me ek
ek talwar thi Anjali ne apne dono haathon ko apne daayen baayen ghumaya aur tann
Anjali ke jaise hi uske aur Ronit ke clones ke haathon me bhi ek ek talwar thi Anjali ke
dono talwar un dono ke talwaaron se takraye par ye ek waar tha abhi clones ne ek waar
ko roka hi tha ki tabhi Ronit udta hua aaya aur apne clone ke haath ko nishana banakar
apni talwar chala di aur bina ye dekhe ya jane ki uske clone ne uske waar ko roka ya nahi
Ronit ne apni jagah badal di wo dugni tezi se Anjali ke clone ki taraf palta aur apni talwar
chala di thek ussi waqt Anjali ne bhi apni jagah badli aur Ronit ke clone ke upar hamla kar
diya ye saari cheeze na toh Ronit soch raha tha aur naahi Anjali bas ek apne flow me ek
hamla karta toh dusra ussi flow ko follow kar dusre par hamla kar deta kyu ki ye saare
attacks bina soche samjhe ho rahe the issliye Ronit aur Anjali ke clones ko in vaaron ko
rokne me bohat mushkil ho rahi thi ki tabhi ek nayi cheez hui Ronit aur Anjali apni jagah
badal badal kar dono clones par bijli ki tezi se hamla kar rahe the par achanak unhone
apne attack ki kriya badal di dono apne apne clones par waar karne ke baad tezi se dusri
taraf ghume zaroor par aadhe raaste se hi wo dubara ghum gaye aur wapas apne apne
clones ke upar talwar chala di ye sab second ke 100th hisse me hua tha saayennn bas yahi
aawaz aayi aur fir sab shaant Anjali aur Ronit dono ke talwar apne apne clones ke aar paar
ho gaye aur kal hi ki tarah aaj bhi dono clones dhua bankar gaayab ho gaye apna aakhri
waar karne ke baad Anjali aur Ronit khud shocked ho gaye the unhe yakin hi nahi ho raha
tha ki unhone clone combat fight jeet li hai dono ne kas ke ek dusre ko hug kar liya ki tabhi

bohat badhiya dono ke kaano me ye awaaz gunj gayi pehle toh awaaz sunkar dono hi
shocked ho gaye par agle hi pal unke chehre par muskaan aa gayi

Dono:- Vj ye awaaz apne hero ki hi thi Anjali aur Ronit dono ye achi tarah jante the ki
bhale hi Vj unke saath nahi tha par uski nazar har waqt har jagah hoti hai dono ne apne
haath me pakdi talwar ko gayab kiya aur Avantika ki taraf chal diye Avantika toh aankhon
me hairat aur khushi liye ab bhi dono ki taraf dekh rahi thi

Avantika:- unbelievable guyzzz I mean tum dono toh mujhe theek se dikh bhi nahi rahe
the

Ronit:- haan competition bhi toh tough tha

Anjali:- mujhe toh ab bhi yakin nahi ho raha hai ki humne inhe finally hara diya hai

Ronit:- hum naajane kab se in dono ko harane ki koshish kar rahe the aaj jaakar kaamiyab
hue hue hain
Avantika:- par guyz tumne magic bilkul use nahi kiya

Anjali:- haan wo humne socha ki magic se toh Vj ne hume kal clone combat fight jeet kar
dikhaya tha toh kyu na hum fight se inhe harane ki koshish kare

Avantika:- and u guys did it maza aa gaya par ab kya?

Anjali:- ab ghar college me milte hain

Avantika:- hamare to kamsekam 3 lectures abhi tak khatam ho gaye honge Anjali aur Ronit
Avantika ki baat sunkar muskura diye

Ronit:- chalo tumhe kuch dikhate hain Ronit ne ek magic door khol diya jise hokar teeno
bahar aa gaye

Anjali:- ek baar time dekho Avantika ne apna mobile joki usne Magical Dimension me aane
se pehle band kar diya tha usse on kiya aur jaise hi screen par time display hua Avantika
shocked ho gayi

Avantika:- ye kaise ho sakta hai hum 6:30 am ko magical dimension me gaye the aur abhi
6:31 ho rahe hain I mean howz that possible

Ronit:- wo issliye ki magical dimension me time ruk jata hai

Avantika:- kya kya raaz chupe hue hain iss world ke andar

Anjali:- world nahi universe ke andar aur ab toh hum saath hain sab kuch jaan jaaogi

Ronit:- haan par wo sab baad me filhal ke liye apne apne ghar jaate hain warna college ke
liye late ho jayenge Avantika apni car se aayi thi wo Ronit aur Anjali ko bye bolkar nikal
gayi aur Ronit aur Anjali apne ghar ki taraf nikal gaye

Planet: World of the Warriors Place: Odridge mountain

Universe God ne itne saare khubsoorat worlds ki rachna ki aur wo chize jo sirf chamakti
hain jinme koi jaan nahi unhe bhi kitna manmohak aakar diya hai kya unhone kabhi socha
hoga ki apne dil se unke banaye gaye iss bramhaand me bhi nuks nikal aayenge aur uss
nuks ko aur bada kar khud ka ek alag samraajya banane wala aur koi nahi balki khud unka
beta hoga pata hai Defender hamare grah me actually hamare country me ek kaha wat
bohat mashoor hai diya tale andhera God aur unke bete Asmodeus ko ye kaha wat bohat
suit karti hai scene ke start ki heading ko padhkar aap log samjh hi gaye honge ki iss waqt
hum Odridge mountain ke saamne khade hain hum ka matlab hai main aur iss grah ka
Defender Odridge mountain un do kaaranon me se ek kaaran hai jiski wajah se main yaha
aaya hun sadiyon pehle mere bhai ki shaktiyon ko paane ki talash issi mountain se shuru
hui thi aur aaj mujhe bhi apne safar ki shuruat ke liye yahi par aana pada sabse pehle yahi
par aane ka bhi ek kaaran hai jo aapko thodi der me pata chal jayega khair tab tak ke liye
story me wapas chalte hain

Defender:- agar aap ijazat den toh kya main aapse kuch puch sakta hun? maine Defender
ki taraf dekha jo mere uske taraf dekhte hi apne haath baandh kar aur sar jhuka kar khada
ho gaya

Main:- aap dar ki wajah se mujhe itna samman de rahe hain ya fir samman ki wajah se
itna dar rahe hain?

Defender:- nahi wo main

Main:- mujhe dono hi chizen nahi chahiye na hi dar naa hi sammaan main bas wahi kar
raha hun jiski mujhe zimmedari di gayi hai aur uss zimmedari ko nibhane ke liye ek ohda
aur kuch shaktiyan aur bhaade me li hui chizon ka abhimaan karna mere bhai ka kaam hai
mera nahi aap kuch puchna chaahte the naa puchiye wahi meri baaton ko sunte hue
Defender soch raha tha ki ek si awaaz ek sa vyakti fir bhi lehja aur drishtikon kitna alag hai
dono bhaiyon me

Main:- aksar jo dikhta hai waisa hota nahi Defender khair aap apna sawal puchiye meri
awaaz se Defender apni soch se bahar aa gaya

Defender:- Asmodeus ko aap apna bhai kehkar bulate hain jabki aap God ko God hi kehte
hain jabki wo aapke father hain main Defender ki baat ko sun kar muskura diya

Main:- pita ke banaye kanoon ki wajah se hi toh aaj do bete ek dusre ke raste ko katne ki
koshish me lage hain

Defender:- par God toh

Main:- janta hun janta hun ki God sahi hai par taklif ye hai ki Asmodeus bhi apni jagah sahi
hai khair ye sab baaton kaunke baad nikle dusre tark ka koi ant nahi hai aur jahan tak baat
mere God ko pitah kehne ki baat ka hai toh sahi waqt aane par wo bhi kahunga

Defender:- ek baat aur hai

Main:- yahi naa ki koi nakaratmak shakti hamare aas paas hai

Defender:- ji
Main:- wo nakaratmak shakti abhi se nahi balki jabse main iss grah me aaya hun tabse hi
mere aas paas hai

Defender:- fir aapne kuch kiya kyu nahi?

Main:- usse milne me abhi waqt hai filhal ke liye jo karne aaye hain wo kar len maine apne
haath failaye aur grah abhedhya kawach prakatam planet unbreakable shield maine ye
spell zor se bola spell ke uccharit hote mere haathon se nili roshni nikli aur pure Warrior's
world me failne lagi aur kuch hi palon me pura planet mere kawach se dhak gaya

Main:- tum chaaho toh jaa sakte ho Defender tumhe ye karne ki koi zaroorat nahi hai

Defender:- anjane me hi sahi par mujhse apne hi grah ke logon ko kaal drav pilane ka paap
toh hua hai aur mere paapon ka prashcyit mujhe hone wala dard hi hai

Main:- isse tumhari jaan bhi jaa sakti hai

Defender:- par mere log toh bach jayenge naa mere liye yahi kafi hai maine ek lambi saans
chhodi aur aage ki ore chal pada mere piche piche Defender aur Defender se thodi doori
banakar ek kaala saaya aane laga jaise jaise main uss gufa ke karib jaa raha tha uss gufa
me ek kampan si ho rahi thi aur ye kampan sirf uss gufa me hi nahi ho raha the balki mere
seene ke beech bhi ho raha the main dhadakte dil ke saath chalte hue uss gufa ke saamne
pahunch gaya jo meri manzil thi main aage badha aur uss gufa ke pehredaar ko matlab
uss pathar ko jisne uss gufa ke mouhane ko dhak rakha tha uspe sar rakh kar naman kiya
aur tabhi ek saath do chizen huin

1st:- mere sar se uss patthar ko chute hi wo pathar gayab ho gaya pathar ke gayab hote
hi uss gufa ke andar se ek roshni nikli aur har taraf fail gayi wo roshni surya ki roshni se
bhi adhik tez thi jahan wo roshni mere aankhon ko thandak pahuncha rahi thi wahi
Defender ki aankhen uss urja ko bardasht nahi kar payin aur uss ne apni aankhen band
kar lin

2nd:- wo kaala saaya jo hamare peeche peeche aa raha tha uss roshni ke bahar nikalte hi
usse ek tez dard hua aur wo door jaakar gira ek saaya hone ke baawajud bhi wo behosh
ho chuka tha main apni baahen khole uss roshni ke urja ko mehsoos karte hue uss gufa
ke andar chala gaya par tabhi mere gufa ke andar jaate hi wo roshni kam hone lagi aur
dheere dheere bahar ka mahoul pehle jaisa ho gaya gufa ke andar moujud safed patthar
ye fir yun kahu ki ek patthar jispar ek safed chaadar si beechi hui thi wo ab bhi chamak
raha tha par ab uski roshni ki seema uss gufa tak hi thi wahi bahar jaise hi sab normal hua
Defender ne bhi aakhen khol li thi par ab bhi wo bahar hi khada tha wahi andar jaise hi
meri aakhon ne uss safed chaadar se lipti patthar ko dekha toh mere seene ke andar ki
kampan aur badh gayi maano mere andar se koi bahar aana chahata ho

Main:- tum bahar aa sakte ho bas mere bolne ki der thi mere seene ke beech ek roshni
ubhri aur uss roshni ke beech se meri book mere andar se bahar nikal aayi aur dono taraf
se khul gayi ki tabhi ek naya chamatkar hua book ke khulte hi uske saamne padi pathar ki
safed chaadar ek baar firse chamakne lagi par chamatkar ye nahi tha chamatkaar ye tha
ki ab main kisi gufe ke andar nahi tha gufa chhodo wo gufa jis Ordridge mountain ke andar
thi wo pahad bhi gayab ho gaya tha ab main ek khuli jagah par tha aur mujhse thodi hi
door pe khada Defender aankhen faade ye sab chamatkar hote hue dekh raha tha

Defender:- wo mountain kaha gayi ye baat Defender ne apne mann main boli thi par
maine sun li

Main:- wo mountain sirf iss gufa ko shield dene ke liye banaya gaya ek maaya jaal tha ab
iss gufa ko kisi shield ki zaroorat nahi hai issliye wo mountain gayab ho gaya yaha maine
ek chamatkar se parda uthaya waha ek naya chamatkar shuru hone laga wo white chadar
jo uss pathar par lipti hui thi usne apni jagah chhod di aur dheere dhere aakash me uthne
lagi jaise jaise wo safed chamakti hui chaadar hawa me upar uthta gaya uska size bhi
badhata gaya ye size darasal wo power thi jise uss chaadar ne ab tak control aur simit
karke rakha hua tha aur kuch hi palon me uss chaadar ka size itna bada ho gaya ki usne
Warriors world ke vaayu mandal ko ghar liya uss chaadar se itni tez roshni nikal rahi thi ki
pura warriors world chamak raha tha

Main:- tayar ho ye baat maine Defender se kahi thi jo aankhen faade Aakash me iss naye
chamatkar ko dekh raha tha meri awaaz sunkar wo hosh me aaya Defender ne mere aage
haath jode aur kaha

Defender:- main tayar hun Defender chalte hue aage badha aur usne book ko jo abhi bhi
hawa me khuli hui tair rahi thi usse chu liya aur tabhi upar aakash me wo safed chaadar
jo ek height par jaakar ruki hui thi uske beech me se tez roshni nikalne lagi aur Defender
ke sharir ke beecho beech lagne lagi aahhh Defender ki aankhen dard ki adhikta se badi
ho gayi wo ghutno ke bal baith gaya uska pura sharir dard se chatpatane laga uske gale se
lagatar nikal rahi cheekhen har taraf failne lagi uska sharir jagah jagah se fatne laga par
kyu ki uske paas healing powers thi issliye uska sharir wapas theek bhi ho jaa raha tha par
uss roshni se nikalne wali urja Defender ki healing powers se laakh guna zyada strong thi
kuch hi der me Defender ka sharir thoda thoda galne laga tha ye sab main hota hua dekh
raha tha mujhe pata chal gaya tha ki agar aisa hi chalta raha toh Defender bach nahi
payega main turant ghutno par baith gaya maine haath jode aankhen band ki aur prayer
karne laga

Main:- hey ishwar aaj aapke iss bhakt ne mere hisse ke dard ko piya hai agar maarna hi
hai toh mujhe maar de par isse bachale hak se maango ye awaaz mere andar se aayi thi
ek aisi awaaz jise sunkar mujhe aisa laga jaise main pura ho gaya hun

Main:- father ye alfaz mere mouh se apne aap nikal gaye aur mere father bolte hi uss
chaadar se nikalne wali urja ka prabhav kam hone laga aur jaise hi aisa hua Defender ki
healing power kaam karne lagi dard toh usse ab bhi ho raha tha par urja ke prabhav ke
kam hone aur healing power ke active hone ki wajah se ab usse kam dard ho raha tha
kuch minutes tak ye silsila chalta raha aur fir dheere dheere uss aakash numa chaadar se
roshni nikalni band hone lagi aur jaise hi roshni nikalna completely band hua wo chaadar
gol gol ghumte hue niche aane lagi jaise jaise wo chaadar niche aati gayi uska aakar bhi
kam hone laga aur uss chaadar ne ek square shape le liya aur aakhir me wo white chaadar
kafi choti ho gayi aur meri book ke upar aakar ruk gayi mere books me jitne bhi pages the
wo sab chipak se gaye aur un sab pages ne judkar do mote se pages ki shakl le li aur jo
safed chaadar mere book ke upar ruki hui thi book ke pages ko do pages me badalne ke
baad uss chaadar ne bhi ek mote se page ka roop le liya aur mere book me fit ho gayi
teeno pages ke fit hote hi meri book band ho gayi maine Defender ko uthaya jo ab tak
puri tarike se thek toh ho chuka tha par ab bhi usme kamzori si thi maine uske sar ke upar
haath rakha mere haathon se ek safed roshni nikli aur usme sama gayi aur agle hi pal
Defender fit & fine ho gaya tha main usse lekar apni book ke paas gaya jo ab bhi hawa me
ruki hui thi aur jaise hi maine uss book ko khola main shocked reh gaya kyu ki jo teen
pages abhi abhi mere book me bani thi uske pehle page me do gol se khaanche bane gaye
the maano unme kuch rakhna ho aur dusre page par bhi ek waisa hi gol khaancha bana
hua tha teesre page par mere spear ki taswir lagi hui thi

Main:- (mann main) ab ye kya raaz hai yaar?

Defender:- aap kya soch rahe hain? aur ye khaanche kaise? kya ab main jaan sakta hun ki
uss gufa me kya tha aur usse mujhe itna dard kyu hua? maine meri book ko band kar diya
book ke band hote hi wo firse ek roshni me badal mere andar sama gayi

Main:- tumhare pehle sawal ka jawaab toh filhal mere paas nahi hai ki ye khaanche kya
hain aur kis liye hai par haan tumhare dusre sawal ka jawaab main tumhe de deta hun ye
jo book tum dekh rahe the aur wo jo safed si chaadar gufa me thi ye dono ek hi hain aur
ye bane hain God ke aansuon se meri baat sunkar Defender shocked ho gaya par maine
bolna jaari rakha

Main:- apne pehle putr ko heaven se nikalne ke baad God ko bohat taklif hui thi waise toh
God ka koi asli roop nahi wo khud ek urja ek roshni hai par tab bhi jab unhe taklif hui thi
toh unki urja ek pal ke liye asantulit ho gayi thi aur ussi asantulit urja ke prabhav se ek
paani ki bund nikli jise hum insaan aansu kehte hain agar wo aansu bramhaand me kisi
bhi jagah par sidhe girte toh bramhaand ka naash ho jata par kyu ki God apne banaye
bramhaand se bohat pyar karte the issliye unhone apne aansu ko girne se pehle hi uska
roop badal diya par urja itni zyada thi ki kisi ek cheez me wo puri nahi samati issliye uss
urja ne do roop le liye ek ne iss kitab ka roop liya aur kyu ki uss waqt World of the Warriors
iss bramhaand ka sabse takatwar grah tha iss grah ke natural resources me itni taakat thi
ki God ke urja ke ek part ko sambhal sake issliye uss urja ka uss aansun ka dusra bhaag
yaha teher gaya usne iss jagah ke sabse bade aur mazboot chattan ke upar chaadar ke
roop me khud ko bicha liya

Defender:- adbhudhh issliye uss urja se mujhe itni taklif hui kyu ki wo asal me God ki taklif
thi jo ek roshni ka roop lekar mujhpe gir rahi thi

Main:- hmm aur main tumhe tahe dil se shukriya karta hun jo tumne mere hisse ke dard
ko apna liya

Defender:- ye dard hi mere paapon ka prashchit tha

Main:- hmm par abhi sab kuch theek nahi hua hai abhi sabse zaroori kaam baaki hai
tumhare logon ko theek karna

Defender:- haan wo toh hai toh chalen

Main:- chalte hain par usse pehle tayari toh kar len maine haath neeche kar zamin ko chu
aakhen band ki aur sparzana sagkrama contact transfer ye ek khass kism ka spell tha jiske
bare me aapko aage pata chalega mantra bolne ke baad maine Defender ko kuch cheeze
batayi jise sunkar wo vichlit ho gaya Defender kuch kehne hi wala tha ki maine usse rok
diya

Main:- ye zaroori hai Defender ab Defender meri baat toh kaat nahi sakta tha issliye chup
ho gaya

Main:- chalo ye kaam toh ho gaya ab mere purane dost se toh mil len ye kehkar main aage
badh gaya aur Defender mere piche ho liya main chalte hue ussi kaale saaye ke paas
pahuncha jo ab bhi behosh pada hua tha maine haath aage kiya aur agle hi pal wo saaya
hosh me aa gaya mujhe dekhkar wo saaya hadbada gaya aur usne gaayab hone ki koshish
ki koshish issliye kyu ki wo kaamiyab nahi hua maine usse adrishya bandhan me baandh
rakha tha kuch der tak usne khud ko chhudane ki koshish ki fir jab usse laga ki wo kamiyab
nahi ho payega toh usne koshish chhod di aur apni mout ka intezaar karne laga

Main:- fikr mat kar abhi tera waqt aane me thoda waqt hai abhi ke liye tujhe aazad karta
hun mere ye bolte hi uske bandhan khul gaye aur agle hi pal wo gayab ho gaya

Defender:- ye kaun tha?

Main:- Valefor urf Balbeer Singh Bagga

Planet: Earth Place: College Canteen

yaar aaj Vj college kyu nahi aaya?

Ronit:- usse kuch kaam tha toh wo ussi ko nipta raha hai?

Avantika:- kaisa kaam?

Ronit:- wait karo pata chal jayega

Shanaya:- Vj ka kuch kaam hai aur tum dono uske saath nahi ho strange

Anjali:- isme ajeeb kya hai hum har kaam ek saath thodi naa karte hain

Avantika:- haan wo bhi hai waise ek baat batao tum dono ne abhi tak kya kya kiya hai?

Ronit/Anjali:- matlab

Avantika:- arre matlab couple banne ke baad tum dono ne kya kya romantic kiya hai I
mean candle light dinner long drives ya aisa kuch Avantika ki baat sunkar Anjali sharma
gayi

Shanaya:- aaye haaye sadhke jaawan tere iss sharmo hayaa par par babes ye sab toh
normal baatein hain naa isse batane me kaisi sharm Ronit yaar tu hi bata

Ronit:- haan guys ab tak candle light dinner long drive gifts sab kuch ho chuka hai
Avantika:- aur hume pata tak nahi

Ronit:- arre yaar privacy bhi koi cheez hai

Shanaya:- haan woh toh hai par ab hume bhi kya pata ki kaun si cheez private rakhi jati
hai aur kaun si cheez batayi jati hai hum toh abhi bhi single hain
Anjali:- toh tujhe roka kisne hai bana le na koi bf

Shanaya:- kisi ko bhi bana lun kya? aur waise bhi mujhe in sab me koi interest nahi hai par
main ek baat soch soch kar bohat excited feel karti hun

Sab:- kya?

Shanaya:- yahi ki jab Vj kisi ke saath relationship me aayega toh kya kya karega? I mean
jo banda bina kisi relationship me aaye bina kisi ladki ko chaahe itni gehri gehri baatien
karta hai jab wo kisi ladki ko chaahega toh uske liye kya kya karega mujhe toh lagta hai ki
apni gf ke liye Vj sab kuch claasy aur international hi karega London me shopping paris
aur Switzerland me holiday aur pata nahi kya kya Shanaya ki baat sunkar Anjali aur Ronit
dono muskura diye

Shanaya:- kyu sahi kahanaa?

Ronit/Anjali:- galat bilkul galat kaha tumne Avantika jo ki Shanaya ke speculations sunke
sad si ho gayi thi Ronit aur Anjali ke mouh se galat sunkar wo firse excited ho gayi thi

Shanaya:- galat aur wo bhala kaise? Ronit ne ek baar Anjali ki taraf dekha fir bolna shuru
kiya

Ronit:- tumhe pata hai naa ki Vj lagbhag har puzzle ko solve kar deta hai

Shanaya:- haan toh iss baat ka meri baat se kya lena dena

Ronit:- puri baat toh sun lo haan toh mere kehne ka ye matlab hai ki Vj khud itna bada
puzzle hai ki baaki saare puzzle uske saamne easy lagte hain

Anjali:- exactly hum Vj ke saath bachpan se hain par wo aur uska attitude ab bhi hamare
liye ek sawal hi hai

Ronit:- par jitna humne usse samjha hai usse itna toh hume maalum hai ki usse ye long
drive candle light dinner expensive holidays zyada pasand nahi hain usse grounded aur
simple cheezen hi pasand hain usse choti choti cheezon me khushi dhundene ki aadat hai

Shanaya:- aur agar uski gf ko meri batayi cheezen pasand hui toh?

Ronit:- aisi ladki ke saath Vj kabhi bhi relationship me nahi padega Ronit aur Anjali ki baat
sunkar Avantika andar hi andar bohat khush ho gayi kyu ki wo bhi exactly Vj ki hi tarah
sochti thi abhi Ronit aur bhi kuch kehna chaahta tha ki tabhi
tum dono ke dimag me main ek jagah ki tasvir bhej raha hun Avantika ko lekar turant
pahuncho ye awaaz Ronit aur Anjali ke dimag me gunji thi jise sunkar pehle toh dono
chonk gaye par agle hi pal dono normal bhi ho gaye kyu ki wo dono toh issi awaaz ka wait
kar rahe the

Anjali:- Shanaya se koi bahana bana lo hume kahi jana hai ye baat Anjali ne Avantika ke
dimag me kahi thi Avantika bhi pehle chonki par fir usse bhi sab samjh aa gaya aur wo
normal ho gayi

Anjali:- Ronit chal ghar chalen tujhe dad ne bulaya tha yaad hai naa

Ronit:- oh shit main toh bhul hi gaya chal chalte hain dono Avantika aur Shanaya ko bye
bolkar parking ki taraf nikal gaye

Shanaya:- yaar mujhe toh agla lecture attend karna hai main already bohat piche hun

Avantika:- tu kar le mujhe bhi kuch kaam hai main wo nipta leti hun

Shanaya:- ok then ghar par milte hain Shanaya class ki taraf nikal gayi aur Avantika bhi
tezi se chalte hue parking me pahunch gayi jahan Ronit aur Anjali uska hi wait kar rahe
the

Avantika:- kya hua guyzzz kaha jana hai?

Anjali:- sab pata chal jayega tum apni car me hume follow karo Ronit aur Anjali apni car
me baith aage nikal gaye aur Avantika apni car me unka piche piche nikal gayi Ronit ne ek
sunsaan jagah par apni car rok di Avantika ne bhi Ronit ki side me hi apni car roki aur dono
ke paas aa gayi Ronit ne apna haath aage kiya aur gol gol ghumaya Ronit ke saamne hi ek
world door khul gaya

Ronit:- chalo teeno usme se hote hue dusri taraf aa gaye unke dusri taraf aate hi world
door gayab ho gaya

Avantika:- ye kaun si jagah hai aur ye mahal kahi hum kisi dusre state me toh nahi aa gaye

Anjali:- nahi

Avantika:- toh kya ye koi dusri country hai

Ronit:- ye dusri country nahi dusra planet hai

Avantika:- what? Ronit ki baat sunkar Avantika ko ek tez jhatka laga


Anjali:- hmm aur hume yaha Vj ne bulaya hai Vj ka naam sunkar Avantika ka dimag ek
second me shaant ho gaya

Avantika:- iss planet ka naam kya hai?

Ronit:- World of the Warriors

Place: Lord Crusedar Palace

haan sainik bolo jo jo maine kaha tha wo ho gaya

Sainik:- ji sena pati ji aapne jaisa jaisa kaha tha wo sab ho chuka hai pure mahal ki suraksha
aur kadi kar di hai aur hamare sainiko ki kul chaar tukdi banakar charo dishaon me bhej
diya gaya hai

Heinsberg:- bohat ache tum jaa sakte ho sainik ne ek baar Heinsberg ke aage sar jhukayea
aur chala gaya

Heinsberg:- (mann main) itna kuch ho gaya aur Lord Crusedar abhi tak apne kaksh se
bahar nahi aaye jaakar dekhta hun Heinsberg lord Crusedar ke room ki taraf nikal gaya

chaliye jab tak Heinsberg Lord Crusedar ke paas pahunchte hain aapko bata deta hun ki
Heinsberg sainik se aakhir kis chiz ke bare me baat kar raha tha jaise hi chattan ke upar
bichi God's tear ki power hawa me uth kar aakash me fail gayi toh usse mahal me moujud
sabhi ne dekha aur naa sirf dekha balki jaise hi wo power unke upar mehel me chaayi uski
power se nikle white energy ki wajah se iss mahal ke aur planet ke saare logon ke body
me tez dard uthne laga ye unke sharir me moujud kaal drav ki wajah se hua tha wo white
energy se nikli urja ko bardasht nahi kar paa rahi thi issliye wo Warriors world ke logon ke
andar garm hone lagi jise yaha ke sabhi waasiyon ko aseem dard jhelna pad raha tha aur
jaise hi God's tear ki power wapas apne aadhe swaroop supra gupta book me samayi wo
sab thek ho gaye par thek hote hi Heinsberg ne apne sainikon ko saare mahal ko gherne
ke liye keh diya aur saath hi apni sena ke chaar pramukh tukdiyon ko charon dishaon me
faile kar abhi jo bhi hua tha uska satya janane ka aadesh de diya tha

Lord Crusedar:- tum yaha kya kar rahe ho? bhul gaye humne kya aadesh diya tha?
Heinsberg lord ke kamre ke saamne pahunch kaksh ke darwaaze ko khat khatane hi wala
tha ki itne me darwaza swayam hi khul gaya aur Lord Crusedar bahar nikle

Heinsberg:- shama kare maharaj mujhe yaad hai ki aapne aapke kamre me kisi ka bhi aana
nished kiya hua hai kintu baat hi itni badi hai ki mujhe aana pada
Lord Crusedar:- aisi kya baat ho gayi? fir Heinsberg ne Lord ko jo kuch bhi abhi abhi hua
tha wo sabkuch bata diya

Lord Crusedar:- hmm ye toh wakayi gambhir baat hai tum mahal ki surakhsha kadi kar do
kisi bhi agyaat vyakti ko dekhte hi maarne ke liye keh do

Heinsberg:- ye aadesh maine pehle hi de diya hai Lord

Lord Crusedar:- bohat acche hamare sabhi sipah salahakaron ko turant sabha me upastithi
hone ko kaho

Heinsberg:- jo aagya Lord Heinsberg Lord ke aadesh ka palan karne nikal gaya wahi Lord
Crusedar jo apne aap ko kab se control me kiye hue tha wo apne chehre par wapas dar ki
rekhaon ko liye sabha ki taraf nikal pada aur kuch hi der me sabha shuru ho chuki thi

Lord Crusedar:- aap sab bhali bhaati jante hain ki ye sabha kyu bulayi gayi hai abhi kuch
der pehle jo kuch bhi hua wo koi choti moti baat nahi hai hamare upar jo sankat ke baadal
chaaye hue hain agar kisike paas uska koi hal hai toh wo bol sakta hai dost ko dushman
samjhne ki galti naa kare Lord Crusedar abhi koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz palace
hall me gunj uthi sab hakke bakke hokar idhar udhar dekhne lage

Heinsberg:- kaun hai? jo bhi hai saamne aaye Heinsberg ke bolte hi uss hall ke beech ek
tez roshni faile gayi sabki aankhen kuch pal ke liye band ho gayi thodi der baad jab dheere
dheere sabne aakhen kholi toh shocked reh gaye unke sabha ke beech ek jawan ladka
apne dono haathon ko apni kamar par tikaye muskurata hua khada tha aur thek uske
peeche unke planet ka Defender haath baandhe khada tha

Heinsberg:- Defender tum aur kaun hai aur iss tarah se bhari sabha ke beech me aane ki
kya wajah hai?

Main:- mere naam Vikram hai main yaha aap logon ki madad karne aaya hun meri baat
sunkar Heinsberg aur waha baithe saare log hans diye

Heinsberg:- bacche tu hamari madad karega? shukra mana ki itna bada dussahas karne
ke baad bhi meri talwar abhi tak tere gardan ke paar nahi hui hai ye bolkar Heinsberg ne
miyan me se talwar ko halka sa bahar nikala

Main:- chaliye fulon se naa sahi talwar se hi hamara swagat kar dijiye aap hum bhi toh
dekhen ki aapki talwar bhi aapke zuban ki hi tarah tez hai ya nahi meri baat sunkar
Heinsberg ko ghussa aa gaya usne apni talwar nikali aur tezi se meri taraf aane laga wahi
mere piche khada Defender Heinsberg ki harkat par hans diya Heinsberg theek mere
saamne ruka aur ek baar mujhe ghoor kar dekha main abhi bhi muskura raha tha mere
muskurane ne uske ghusse par ghee ka kaam kiya usne tezi se apni talwar mere gardan
ko nishana banakar ghuma di saaayyy Heinsberg ke talwar ghumate hi ye awaaz hui par
sirf aadhi kyu ki talwar bas aadhi door hi talwar rahi mere gale tak pahunchte pahunchte
talwar ne phoolon ka roop le liya tha ye karishma dekh Heinsberg ke saath saath Lord
Crusedar aur waha moujud sabhi mantri mandal apni jagah par ek jhatke me khade ho
gaye

Main:- apka swagat ho gaya ho toh kya ab main jis kaam se aaya hun wo kar lon Lord

Crusedar:- kaun ho tum? aur kya chahte ho?

Main:- main kaun hun ye jaanna aap sab ke liye zaroori nahi hai aap bas itna jaan lijiye ki
main aap sab ko aapke andar moujud kaiwa naam ke zeher se nijat dilane ke liye aaya hun
meri baat sunkar sab ek baar fir chonke

Lord Crusedar:- hume tumhari madad ki aawashaykta nahi hai tum jaa sakte ho Lord
Crusedar ke bolne ke baad unhi ki boli hui baat baaki sab sabhagan bhi bolne lage

Main:- ye aap sab nahi aapke andar moujud kaal drav bol raha hai

Lord Crusedar:- isse tumhe koi matlab nahi hona chahiye hum aise hi thek hain tum abhi
ke abhi yaha se chale jao warna bandi bana liye jaaoge

Main:- bina mera kaam khatam kiye main toh nahi jane wala aap apni koshish kar lijiye

Lord Crusedar:- sipahiyon iss ladke ko bandi bana liya jaye maine haath upar kiya aur apni
mutthi band kar di aur agle hi pal Lord Crusedar ko chhod kar waha jitne bhi log moujud
theyaha tak ki bahar pehra dete sainiksabhi ek saath niche gir pade wo sabhi behosh ho
chuke the apne sabhi mantri gan aur sipahiyon ko behosh hota dekh Lord Crusedar ka
dimag ghum gaya unhone aakhen band ki aur antardhayan hone ki koshish ki par ye
kaamiyab nahi ho paye

Main:- jab tak main nahi chahunga tum gayab nahi ho sakte

Lord Crusedar:- ye tum thek nahi kar rahe ho iske liye ummm iske aage Lord Crusedar
kuch bol nahi payekyu ki unke honthon sil gaye the

Main:- teri bakwas sunane nahi aaya hun main

Defender:- aapne sabko behosh kyu kiya? aisi haalat me inka ilaaj kaise hoga?
Main:- aisi haalat me hi inka ilaaj ho sakta hai agar ye jaagte rahe toh mana kare ge uss
surat me mujhe inhe haani pahunchana hoga jo main nahi chahta

Defender:- toh ab?

Main:- Dr ko toh aa jane do

Defender:- Dr? main samjha nahi

Main:- sab samjh jaaoge kuch der wait karo Wahi bahar:

Anjali:- yaar inhone toh pure mahal ko chaavni me badal diya hai Warriors world me aane
ke baad teeno ke saamne jo sabse pehla nazara aaya tha wo tha Lord Crusedar ka palace
teeno aage badhe hi the ki unhe lagatar kayi saare sainik mahal ko charon taraf se gherte
hue dikhe

Avantika:- par Vj kaha hai?

Anjali:- palace ke andar

Avantika:- what? kahi usse kuch Avantika ki baat puri hone se pehle hi Ronit aur Anjali
hans diye

Ronit:- babes ye pure planet ke log bhi mil jaye naa toh bhi Vj ka kuch nahi bigad sakta
tum relax raho aur mujhe sochne do ki hum andar kaise jayen kuch bhi sochne ki zaroorat
nahi hai sidhe andar aajao ye awaaz Ronit aur Anjali ke dimag me gunji thi dono ne ek
dusre ki taraf dekha aur muskura diye

Anjali:- chalo raasta clear hai

Avantika:- oye kaha se rasta clear ho gaya dekh nahi rahe ho kitne saare soldiers khade
hain

Ronit:- trust uss yaar aur chalo andar ye bolkar Ronit aur Anjali aage badh gaye Avantika
toh andar hi andar bohat dar rahi thi par wo janti thi ki Anjali aur Ronit kitne kushal yodha
hain issliye unke bharose wo unke piche piche ho li par jaise hi teeno mahal ke paas
pahunche teeno ko ek jhatka laga jahan agle hi pal Anjali aur Ronit normal ho gaye wahi
Avantika ki hairaani har pal ke saath badhti hi jaa rahi thi

Avantika:- ye sab kya hai? ye sab log acahanak gir kaise gaye
Ronit:- kaha tha naa kuch nahi hoga ab jaldi chalo andar Lord Crusedar ka mahal bohat
khubsurat tha teeno usse dekh dekh kar aage badh rahe the aise hi aage badhte badhte
kab wo raj sabha me aa gaye unhe pata hi nahi chala

Main:- dekh lo dekh lo sab taraf achi tarah se dekh lo aur kahi kuch gandagi dikhi toh jhadu
pocha bhi maar dena meri awaaz se teeno hosh me aaye mujhpar nazar padte hi Anjali
aur Ronit bhaag kar aaye aur mere gale lag gaye

Avantika:- Vjjj mera naam Avantika ne dar kar liya tha par agle hi pal jo hua usse dekhkar
Avantika ki aankhen hairat se badi ho gayi hua ye ki mujhe apne doston se gale lagta dekh
Lord Crusedar ne kuch nukile dhardhar auzaaron ka awaha kiya aur meri taraf chhod diya
aur ye sab Avantika ne dekh liya aur issliye uske mouh se mere naam ki cheekh nikal gayi
idhar wo saare auzaar mujhse do feet door hawa me hi ruk gaye issliye Avantika ki
aankhen hairat se faile gayi

Main:- ye bachkani harkat band kijiye Lord

Ronit:- iski toh main Ronit aage badha hi tha ki maine usse rok kar kuch kaha jise sunkar
uski bhi aankhen badi ho gayi

Main:- Avni aisa bohat kuch hai jo tum nahi janti par jaan jaaogi aisi choti moti baaton par
hairan hona band karo Avantika ne kuch bhi nahi kaha aur mere paas aakar khadi ho gayi

Main:- tum jaanna nahi chahogi ki maine tumhe yaha kyu bulaya hai Avantika ne iss baar
bhi kuch nahi kaha bas apni mundi haan me hila di

Main:- rakht phool blood flower mujhe uski zaroorat hai Avantika meri baat sunkar
shocked ho gayi wahi Anjali aur Ronit ko toh kuch samjh bhi nahi aaya

Ronit:- blood flower ab ye kya bala hai?

Main:- sab bata dunga ruk zara

Avantika:- par tum uska kya karoge? maine kuch kahanahi bas teeno ke aage haath ghuma
diya humse kuch door hi ek bada sa parda ban gaya jisme Warriors world me kya kya hua
hai wo dikhne laga bas Asmodeus ke chehre ko maine nahi dikhaya tha jaise jaise scenes
aage badhte gaye Anjali Ronit aur Avantika ki aankhon se aansu girne lage sab kuch
dikhane ke baad wo parda khud hi gayab ho gaya Avantika ne apne aansun poche aur
kaha

Avantika:- par flower toh ghar me hain


Main:- janta hun aur wo yaha aa bhi jayega bas main tumse ijazat lena chahta tha uss
flower ko tumne dhunda tha toh usse dene na dene ka hak bhi tumhara hi hai

Avantika:- (mann main) itni taakat itni shakti fir bhi itni saadgi samjh nahi aata ki teri
chehre me doob jaaun ya fir teri baaton me maine ye saari baat suni thi aur mera dil hi
janta hai ki apne face ko normal rakhne ke liye mujhe kitni mehnat karni padi thi

Main:- tumne jawab nahi diya Avni?

Avantika:- arre wo flower issi kaam ke liye hi toh hai le lo maine apni ek ungli ko ek baar
gol ghumaya mere saamne ek chota sa world door khul gaya world door ke dusri taraf
Avantika ka kamra tha meri ungli se ek neeli ray nikli aur world door se hote hue Avantika
ke kamre me chali gayi aur kuch hi palon me uss ray ne blood flower ko dhund liya wo
usse hawa me tairati hui door se hote hue mere haathon me de gayi Avantika toh aankhen
faade ye sab hote hue dekh rahi thi

Main:- maine kahana Avni ki zyada shocked mat ho dheere dheere sab pata chal jayega
ye batao ki ab kya karna hai?

Lord Crusedar:- mmm

Ronit:- ab iss maamu ko kya hua?

Main:- kuch nahi keh raha hai ki usse thek nahi hona

Ronit:- abbe tu kya tere baap ko bhi thek hona padega bina mmm kiye khade rah warna
sach me teri zubaan kaat dunga

Avantika:- ek problem hai

Main:- kya?

Avantika:- ye flower pure planet ko theek nahi kar payega uske liye kam se kam 10 blood
flowers ki zaroorat hai jo mujhe nahi lagta ki hume mil payengi maine ek lambi saans chodi
10 rakht phool mil jayenge

Teeno:- kaise?

Main:- Avni rakht phool ka naam kaise pada kya tum janti ho?

Avantika:- haan kaha jata hai ki ek devil ne hazaaron angels ko ek saath ek viraan planet
me bandi banakar rakha hua tha aur fir unhe ek saath maar diya tha un saare angels ka
saara khoon ek jagah par ikatha hone laga par uss planet ki dharti angels ke khoon ki garmi
ko sehen nahi kar payi aur fat gayi uss planet ke hazaaron tukde hue par kuch tukdo me
angels ka khoon laga hua tha aur jahan jahan wo angels ke khoon se sane tukde gire waha
kuch saalon baad rakht phool paida hue

Main:- aur issliye ye phool kaiwa ka aur kaal drav ka jo ki devils ke khoon se banta hai uska
kaat hai kyu ki iss phool me angels ka khoon hai

Ronit:- haan toh isse ek second kahi tu nahii hargiz nahi main tujhe aisa karne mmmm isse
aage Ronit kuch naa bol paya kyu ki maine uske honth bhi sil diye the aur uske baad yahi
maine Anjali ke saath bhi kiya kyu ki wo bhi meri baat ka matlab samjh gayi thi aur saath
saath maine un dono ke haath aur pair ek adrishta rassi se bhi baandh diye the ab na toh
dono bol sakte the naa hi hi kuch kar sakte the Anjali aur Avantika ke paas khadi Avantika
ye sab dekh kar dar gayi thi

Avantika:- Ronit Anjali kya hua tumhe? tumhare honth aapas me kaise chipak gaye aur ye
tumhare haath pair sat kyu gaye hain Vj dekho naa ye kya ho raha hai?

Main:- ye maine hi kiya hai Avni meri baat sunkar Avantika shocked ho gayi

Avantika:- tumne par kyu? main chalte hue Avantika ke paas gaya aur uske haathon ko
thaam liya

Main:- inki fikr mat karo kuch hi der me ye dono theek ho jayenge Avni par mere ek sawal
ka sach sach jawab dogi ye sawal maine Avantika ki aankhon me dekh kar pucha tha
Avantika ne haan me sar hila diya

Main:- mujhpe vishvas karti ho

Avantika:- tumhe nahi pata Avantika ne mere sawal par sawal kiya par uska ye sawal uske
jawab se kayi guna behtar tha

Main:- bas toh fir jo bhi ho jaye jaise bhi haalat ho agle kuch minuton tak apna ye bharosa
bina koi sawal puche mujhpe rakh paaogi aur main jaisa kahu waisa kar paaogi? Avantika
jo mere aankhon me hi dekhe jaa rahi thi usne fir se haan me sar hila diya

Main:- aise nahi mujhse waada karo ye kehkar maine apna haath aage badha diya jise agle
hi pal Avantika ne thaam liya

Avantika:- waada

Main:- Ronit mere bhaiya kin maaniske alawa mere paas aur koi chaara nahi hai sun jab
sahi waqt aayega toh tujhe ye karna hai ye keh kar maine apna haath aage kar diya mere
haath me ek chit aa gayi jisme likha hua tha ki Ronit ko kya aur kaise karna hai maine uss
chit ko fold karke wahi hawa me chhod diya wo chit wahi hawa me hi ruk gayi main chalte
hue teeno se thodi door aa gaya mere dusre haath ko upar kiya jisme rakht phool tha wo
rakht phool waise hi hawa me jhool gaya maine apna haath neeche ki taraf kiya zamin par
ek bada sa katora aa gaya ab wo waqt aa gaya tha jiske liye maine itna kuch kiya tha
mujhse thodi door khade Ronit aur Anjali ki ansamjhi awaaz aur tez ho gayi thi wahi
Avantika chehre par dheron sawal liye mere taraf dekh rahi thi aur agle hi pal bina mere
kuch kahe usse uske sawalon ka jawab bhi mil gaya khachhh

Avantika:- nahiii aur iss awaaz ke saath mere left haath ki nas kat gayi aur khoon ki tez
dhaar bahar nikalne lagi maine mere haath me ye cut mere hi andar moujud spear se ki
thi kyu ki mujhe kisi normal chaaku talwaar ya kisi aur auzaar se nuksaan nahi pahunchaya
jaa sakta tha issliye maine apne spear ka awaha kiya aur jaise hi wo mere haath me aayi
maine usse apni kalai par ghuma diya khoon mere kalai se bahar nikla maine apne dusre
haath se mere saare nikalte hue khoon ko uss katore ki disha de di mere haathon se
nikalte hue khoon ki speed kam ho gayi aur wo dheere dheere karke uss katore me girne
laga wahi Avantika bhaag kar mere paas aayi uski aankhon me se iss waqt utna hi paani
nikal raha tha jitna mere kalayi se khoon

Avantika:- ye kya kar diya tumne ruko main kuch karti hun par isse pehle ki wo koi jadi
buti dhundne nikalti maine uska haath pakad liya

Main:- tumne waada kiya tha

Avantika:- par ye

Main:- shhh bharosa rakho aur kuch bhi ho jaye mere paas hi khadi rehna wahi mere piche
khade Defender ke aankhon me iss waqt vismay aur dard ke bhaav dono dikh rahe the ye
sab toh andar ka haal tha par bahar ka haal bohat hi khatarnaak ho chuka tha mere apne
kalayi ko kaatte hi pure Warriors world me andhera chaa gaya sirf mahal ko chhod kar kyu
ki waha main tha baaki ki har jagah par reh reh kar bhukamp aa rahe the aisa lag raha tha
maano ye grah khudkushi karne ko amada ho gayi thi yaha maine Avantika se sab kuch
thek ho jayega aisa bol toh diya tha par ab mujhe chakkar aane lage the kuch der tak main
khudko sambhalta raha par fir main jhoomte hue niche girne laga par mere girne se pehle
hi Avantika ne mujhe sambhal liya aur apni godh me lita diya mera kafi zyada khoon nikal
chuka tha aur wo katora jise maine apna khoon bharne ke liye kaha tha wo bhi bhar chuka
tha wahi mere behosh hote hi Anjali aur Ronit ki pairon ki bediyan aur honth dono khul
gaye wo bhaagte hue mere paas aaye
Ronit:- ye kya kar diya mere bhai anjaan logon ke liye apni jaan khatre me daal di dekh
main kuch nahi janta abhi ke abhi uth jaa nahi toh teri kasam main iss duniya ke aakhri
insaan tak ko maar daalunga

Defender:- aap shaant ho jaayiye

Ronit:- chup be saale Avni ko toh iss bewakuf ne kasam di thi par tu toh isse rok sakta tha
naa

Defender:- unhone mujhe aadesh diye the ki main aisa kuch na karun

Ronit:- aadesh kamine ko bas order dena hi toh aata hai saale ek baar thek hoja fir batata
hun tujhe arre koi toh kuch karo Ronit ye sab rote hue bol raha tha wahi Anjali ko toh jaise
kuch sudh hi nahi thi wo mere kate hue kalayi ko ghoore jaa rahi thi

Ronit:- Avni tum toh kuch karo yaar tumhe toh medicine ka shouk hai naa kuch bhi karke
bacha lo mere bhai ko

Defender:- koi faayda nahi ye koi sadharan vyakti nahi hain jinke upar sadharan
aushadiyan kaam aayengi Defender ki baat sunkar Avantika ke aansu aur badh gaye wahi
Anjali mera wahi kate hue kalayi wala haath pakadkar rone lagi ki tabhi Ronit ko kuch yaad
aaya usne piche mud kar dekha wo chit jo maine chhodi thi wo abhi bhi wahi hawa me
ruki hui thi Ronit jhat se gaya aur uss chit ko khol padhne laga

Chit:- jab mere khoon se katora bhar jaye toh rakht phool ko usme doobona aur iss mantra
ko uccharit karna prati rakht phoolah vibjuti copy blood flower power isse jo bhi bahar
aayega usse firse mere khoon me dubokar iss mantra ko fir dohrana ye kaam kul das baar
karna aur sun mujhe tum log thek nahi kar sakte agar mujhe thek hona hoga toh main ho
jaaunga par agar tune mera kahanahi maana toh main tum logon ke paas wapas nahi
aaunga

Ronit:- saala firse order de gaya teri toh main pehle jo bola hai wo kar leta hun fir Ronit
ne maine jaisa kaha tha waise karne laga usne rakht phool ko mere khoon me dubaya aur
mere dwara likha hua mantra uccharit kiya prati rakht phoolah vibjuti mantra ke uccharit
hote hi rakht phool chamakne laga aur dekhte hi dekhte uss flower ke andar se ek aur
blood flower nikla aur side me gir gaya ye dekhkar Avantika aur Anjali ke nam aankhon
me vismay ke bhaav aa gaye uske baad Ronit ne lagatar aur 9 baar ye kriya dohrayi aur
dekhte hi dekhte waha 10 +1 Avantika ka milakar 11 rakht phool ho gaye

Ronit:- ab?
Defender:- ab aapki baari hai Avantika

Avantika:- haan par ab bhi ek problem hai rakht phool se kaiwa aur kaal drav ka kaat toh
ban jayega par pure grah ke logon ko pilaoge kaise

Ronit:- usme kya problem hai yaha ke main logon ko hum theek kar denge fir wo sab iss
dawayi ko har jagah pahuncha denge

Avantika:- wahi toh maine problem hai iss phool se jo tonic tayar hoga usse 12 ghante ke
andar pidit ko pilana hai 12 ghante ke baad isse bane tonic ka asar khatam ho jayega

Ronit:- yaar ye toh sabse bada panga hai

Anjali:- toh kya Vj ki itni badi kurbaani bekaar jayegi ye bolte waqt Anjali ka gala rundh sa
gaya tha

Defender:- nahi unhone iska hal pehle hi nikal liya tha

Sab:- matlab sparzana sagkrama contact transfer

Defender:- matlab Vikram ne iss grah ke zamin ko yaha ke logon se jod diya hai jo drav
aap banayengi usse hume bas yaha ki dharti se chuwana hai wo saara drav apne aap dharti
se hota hua yaha ke har baashinde ke sharir me pahunch jayega Defender ki baat sunkar
Avantika fir shocked ho gayi

Avantika:- aisa bhi hota hai

Ronit:- ye jahan hota hai waha sabkuch hota hai par abhi wo sab chhodo jaldi se iss phool
ka ras nikalo Avantika ne 10 rakht phool liye aur lag gayi uska ras nikalne rakht phool
hamesha gile hi rehte hain aur har phool se kafi zyada maatra me ras nikalta hai issliye
Avantika ke ek flower ko ghiste hi turant ras nikalna shuru ho gaya Defender ne ek aisa
mantra bola jise phool ka saara ras hawa me hi teher jaa raha tha chaliye jab tak Avantika
rakht phool se ras nikal rahi hai tab tak hum ussi waqt

Kisi dusre jahan me:

har taraf baadal hi baadal yaha tak ki zamin bhi safed baadalon ki chaadar odhe hue thi
ek saaya hawa me tairta sa ek taraf chala jaa raha tha ki tabhi uske kaano me ek madhur
sangit ki awaaz gunji wo ussi disha me udne laga jaise hi wo saaya uss awaaz ke paas
pahuncha toh usne dekha ki hazaron angles apne white poshakon me apne haath jode
ussi ki taraf dekh rahe hain wo saaya jab unke paas gaya tab
aaj hamara intezar khatam hua Lord of Angels ji haan ye saaya aur koi nahi main hi tha

Main:- aap sab?

Angel 1:- hum sab wahi angels hain jise aapke bhai Asmodeus ne sadiyon pehle maar diya
tha humne marte waqt ye kasam li thi ki jab tak hum uske paapon ke ant karne wale ko
nahi dekh lete hum heaven nahi loutenge aur aaj hamari talash khatam hui par jaate jaate
hum aapko kuch dena chahte hain

Main:- mujhe kya?

Angel 2:- aapki zindagi ye bolkar sabhi angels ne apne haath aage kar diye unke haathon
se white energies nikli aur mere ussi kalayi par padi jise maine kaata tha aur agle hi pal
main tezi se piche ki taraf udne laga aur

Avantika:- ho gaya ab kya karna hai?

Main:- bataun? isse pehle ki Defender kuch kehta meri awaaz sabke kaano me gunji mera
sar iss waqt Anjali ke godh me tha meri aankhen khuli dekh sabke sukh chuke aansun ek
baar firse behne lage Anjali ne mera maatha chum liya main jhat se khada ho gaya aur
chataakh chataakh chataakh ye teen thappad teen haathon se mere gaalon par apne
nishan banane ki naakam koshish karne lage

Main:- saalon sequence me maar rahe ho

Ronit:- beta ek shabd bhi aur bola naa toh abki baar mukka khayega

Anjali:- aur ab koi order de ke dekh batati hun tujhe

Main:- tumhe bhi kuch kehna hai? maine Avantika se kaha par wo kuch naa boli aur dusri
taraf mouh karke subakne lagi

Main:- yaar ek do thappad aur maar le par plz ro mat par Avantika kuch na boli na meri
taraf palti manana toh main usse chahta tha par abhi yaha ka kaam adhura tha maine
haath aage kiye aur jaise hi mera haath niche aaya wo pura rakht dravjo iss waqt hawa
me hi ruka hua tha wo ek jhatke me zamin ki taraf gira par zamin me takraane ke bajaye
wo drav zamin ke andar chala gaya aur agle hi pal zameen se hota hua wo rakht drav iss
grah ke har vyakti ke pairon se hota hua uske saare sharir me faile gaya aur jaise hi ye hua
ek kaal dhuaan yaha ke har vyakti ke sharir se khinchaate hue bahar aane laga ye kaala
dhua wo kaali shakti thi jo yaha ke baasindo ke andar thi mahal ke sabhi logon ko toh
maine behosh kar diya tha par itna sab kuch ek saath hone ki wajah se iss grah ke baaki
ke saare bashinde khud ko sambhal nahi paye aur wo sab bhi behosh ho gaye par tabhi
aahh ye awaaz hamare saamne se aa rahi thi baaki sab toh samjh nahi paye bas mere
chehre par saamne ka nazara dekhkar muskaan naach gayi

Ronit:- abbe isse kya hua hai?

Main:- isse kuch nahi hua hai iske andar jo kaal saaya hai naa usse rakht drav ki wajah se
taklif ho rahi hai

Sab:- kaala saaya

Defender:- toh kya yahi

Main:- haan Lord Crusedar ke andar hi chupe baithe hai hamare priya Valefor urf Balbeer
Singh Bagga meri baat sunkar Avantika Anjali aur Ronit teeno ko jhatka laga

Ronit:- kya bol raha hai bhai? par wo toh mar gaya tha naa

Main:- haan bhi aur nahi bhi iske bete ne iske devil sharir ko jala diya tha par iski rooh
azaad thi isse puri tarah marne ke liye iske malik ke andar jana padta (Asmodeus) par
Asmodeus ne iski rooh ko Digvijay ko de diya par Digvijay ke marte hi iski rooh firse aazad
ho gayi jise iske maakik ne yaha bhej diya jahan isne Lord Crusedar ke sharir par kabza kar
liya

Ronit:- par kyu?

Main:- iske malik ko pata tha ki iss grah me aate hi main iss grah ko baandh dunga issliye
usne pehle se hi isse yaha bhej diya taaki jab ye lord Crusedar ke sharir par kabza kare toh
iske aankhon ke zariye wo yaha jo kuch bhi ho raha hai usse dekh sake

Defender:- adbhudh toh ab?

Main:- ab ab picture khatam aur issi ke saath mere haathon se ek tez safed roshni nikli
aur Valefor ke saaye par padi aur agle hi pal uski cheekh har taraf gunjane lagi aur kuch hi
palon me ek kaale saaye ka samouh astitv khatam ho gaya

Main:- Avni main janta hun ki iss waqt tumhare mann main bohat se sawal hain par yakin
maano jab sahi waqt aayega tumhe sab kuch apne aap pata chal jayega Avantika mere
baaton ka matlab toh nahi samjh payi par fir bhi usne apni palken haan me jhuka di
Main:- Defender mera yaha ka kaam khatam hua ab ye grah punah paap mukt hai aur isse
pehle ki tarah sashakt banane ki zimmedari aapki Defender kuch bola nahi aur mere aage
jhuk gaya maine usse uthaya aur gale laga liya

Main:- ab hume challna chahiye

Defender:- main sabhi ko hosh me le aata hun wo aapke ek baar darshan toh kar len

Main:- nahi nahi sadiyon baad paap mukt neend me hain ye sab sone do mulakat fir kabhi
ho jayegi main thoda peeche hata mere sharir se ek roshni nikli aur mere doston par padi
aur agle hi pal hum sab gayab ho chuke the kuch hi dino me hamari mulakat hogi
Nishkalika

Planet: Isla Place: Mountain Point

kitna sundar nazara hai meri didi ke grah ka har taraf hariyali aur unche unche pahad arre
waah itna chota pahad par sundar hai aaj yahi jaaya jaye subah ka waqt hai Bhuvika har
subah ki tarah aaj bhi sair par nikli hai har din Bhuvika alag alag disha me raston par
ghumne nikalti thi aaj jis raaste par wo nikli thi usse waha se kuch hi door ek chota sa
pahad dikha jiski ore wo nikal gayi aur kuch hi der me wo pahad ki choti par thi

Bhuvika:- waah apratim kitna sundar nazara hai aisa lag raha hai jaise prakriti ne hari
chaadar odh li hai arre ye yaha Bhuvika jo ki ek disha me aage badh rahi thi uski nazar
achanak usse kuch hi door pahad ke side me bane ek bade se patthar par padi jispar
dhayan ki mudra me Madox baitha hua tha Bhuvika uski taraf chal padi wahi dhayan ki
awastha me baithe Madox ke kaal chakra ne usse bata diya tha ki Bhuvika uske paas aa
rahi hai aur ye jaankar Madox ke chehre par ek muskaan naach gayi

Madox:- ab toh mujhe lagta hai ki aap mera picha karti hain Bhuvika jo ki Madox ke aas
paas faile kaal chakra ko gour se dekh rahi thi Madox ki awaaz sun hadbada gayi

Bhuvika:- kya matlab hai aapka? hum aapka koi peecha vicha nahi kar rahe hain aur naa
hi hume aisa karne ka koi shouk hai hum toh

Madox:- arre relax yaar main toh bus mazak kar raha tha

Bhuvika:- acha par ek baat bataiye aap sach me dhayan me baithte hain ya aise hi aankh
band kiye hote hain

Madox:- hahaha main toh dhayan me hi baithta hun par aapko jo sahi lage wo samjh lijiye
ab agar aap ki ijazat ho toh kya main aapse kuch puch sakta hun?
Bhuvika:- puchiye?

Madox:- aap uss din bol rahi thi naa ki abhi tak aapko apna manchaha ladka nahi mila toh
aapko vivah ke liye kaisa ladka pasand hai?

Bhuvika:- aur ye aapko kyu jaanna hai?

inhe shouk hai dusro ki pasand naa pasand jaanne ka ye awaaz Madox aur Bhuvika ke
peeche ki taraf se aayi thi awaaz sunte hi dono peeche ghum gaye jahan apne peeche
khade shaksh ko dekhkar Bhuvika khush ho gayi waha Madox ka mouh ban gaya

Bhuvika:- arre waah didi aap yaha aaj subah subah

Nishkalika:- haan aaj maine bhi socha ki apni gudiya ki hi tarah thodi sair kar lun

Bhuvika:- bohat acha socha aapne par sair par aana hi tha toh mujhe kyu nahi bataya
aapne main thodi der ruk jati fir hum dono ek saath aate

Nishkalika:- main tumhare kaksh gayi thi par tum nikal chuki thi toh main tumhare peeche
peeche aa gayi

Bhuvika:- chaliye fir thoda aage se ghum kar aate hain

Nishkalika:- aap chaliye main zara Madox se kuch baat kar ke aati hun

Bhuvika:- toh unhe bhi apne saath le chalte hain naa Bhuvika ki baat sun Madox khush ho
gaya tha par isse pehle ki wo kuch kehta Nishkalika boli

Nishkalika:- Madox ko abhi kuch kaam se jana hoga Bhuvika wahi toh mujhe unhe
samjhana hai tum aage chalo main aati hun

Bhuvika:- theek hai par jaldi aana ye bolkar Bhuvika aage nikal gayi wahi un dono ke
saamne khada Madox andar hi andar Nishkalika se kudh raha tha par wo kar bhi kya sakta
tha

Nishkalika:- tumhe mujhpar bohat ghussa aa raha hoga na Madox Nishkalika ke sawal par
hadbada gaya

Madox:- nahhi toh mujhe bhala tumpe kyu ghussa aane laga

Nishkalika:- mere aane se tum jo meri behan ki pasand naa jaan paye

Madox:- nahi wo toh main


Nishkalika:- maine pehle hi kaha tha Madox ki meri behan se door raho main tumhari
gustakhiyan sirf devil lord ki wajah se jhel rahi hun warna tum Nishkalika ke keher se nahi
bach sakte

Madox:- apna ye ghamand apne paas rakho Nishkalika mat bhoolo ki agar tumhare andar
aloukik shaktiyan hai toh mere andar bhi hain ek baar toh aazma chuki ho agar dil nahi
bhara toh dobara koshish kar lo

Nishkalika:- apne taakat ko ucchit waqt ke liye bacha kar rakho Madox apne bhai ke mout
ke badle ke bare me socho meri behan ke bare me nahi

Madox:- ho gaya tumhara ye bol kar Madox jane laga

Nishkalika:- ab yaha ho toh kuch kaam bhi kar lo yaa fir sirf ek bojh ki tarah pade rahoge
Nishkalika ki baat sunkar Madox ka dimag kharab ho gaya

Madox:- tune mujhe samjha kya hai? main yaha devil lord ki wajah se aaya hun warna teri
shakl dekhne ka mujhe koi shouk nahi ek baar bas ek baar aur taana maar ke dekh tere
guroor aur tere iss grah ko tabah na kar diya toh mera naam bhi Madox nahi ye saari
baatein Madox ne bohat ghusse me kahi thi uske kaal chakra uske sharir se nikal kar aas
paas failne lage uss mountain ke aas paas ke saare ped poude un kaal chakra ke chapet
me aakar kaale padne lage Nishkalika ko bhi ehsaas ho gaya ki usne kuch zyada hi bol diya
hai wo chahti toh Madox se lad sakti thi par wo aisa karna nahi chahti thi ek toh usse devil
lord se aisa karne ki ijazat nahi mili thi aur dusra usse pata tha ki uski aur Madox ki ladhai
me sabse zyada nuksan uske planet ko pahunchega

Nishkalika:- in ped aur poudhon ko apna krodh dikhakar kya faayda Madox maine pehle
bhi kaha hai ki apne saare ghusse ko apne dushman ke liye bacha kar rakho aur agar fir
bhi tumhara dil nahi maan raha hai toh main tumse yudh karne ko tayar hunpar soch
loisse tum devil lord ki nazro me gunehgaar kehlaoge devil lord ka naam sunte hi Madox
ka ghussa shant padne laga aur jaise jaise uska ghussa shant hone laga uske kaal chakra
wapas uske sharir ke andar wapas chala gaya

Nishkalika:- har saal ki tarah iss saal bhi hamare grah me yudh pratiyogita ka aayojan hone
wala hai hum chaahte hain ki iss pratiyogita ki tayari tum dekho

Madox:- main kyu?

Nishkalika:- taaki iss pratiyogita ka star aur badhaya jaa sake Madox ne kuch bhi nahi kaha
aur gayab ho gaya
Nishkalika:- ek baar tumhara kaam ho jaye devil lord ka aadesh pura ho jaye fir tumhe
bataungi ki Nishkalika kya cheez hai Nishkalika ne ye baat apne mann main boli aur uski
behan ke paas jane ke liye gaayab ho gayi

Planet: Monslickel Place: Asmodeus Palace

sadiyon ke baad aapke chehre par iss tarah ki muskan dekh raha hun father ye baat
Beelzebub ne apne pita Asmodeus ko dekhkar kahi thi jiske chehre par iss waqt ek gehri
muskan thi

Asmodeus:- iss tarah ki muskaan se tumhara kya matlab hai Beelzebub?

Beelzebub:- aisi muskaan jisme naa toh koi maksad hai naa koi aur baat aisi muskaan jisme
sirf khushi jhalakti hai

Asmodeus:- hmm baat toh tumhari sach hai aaj kafi waqt ke baad main sach me khush
hun

Beelzebub:- kya main iska kaaran jaan sakta hun

Asmodeus:- jis tarah ka parakram kal mere bhai ne dikhaya wo wakayi kabile taarif hai
aise johar ko dekh kar khush hona laazmi hai Beelzebub ko apne pita dwara Vikram ki
taarif karna pasand nahi aaya

Beelzebub:- khush aapko ghussa nahi aa raha ki aapke bhai ne apka tilism tod diya usne
Warriors World ke jadon se paap ko khatam kar diya Warriors World iss bramhaand ka
sabse shaktishali grah hai usse aapki kaali takaton me har pal atyadhik maatra me nikhar
aata tha jo ab nahi aa payega aur ye sab aapke bhai ki wajah se hua hai

Asmodeus:- surya ka kaam hota hai prakash dena uski garmi kisi ko achi lagti hai toh kisi
ko buri par kisi ki mahatvakaanksha ke anusar wo chamakna toh nahi chhod sakta naa ye
uska kaam hai jo usse nirantarta se karna hai thek waise hi raat ka kaam hai andhera
failana wo andhera jo surya ke itne tej ke baawajud naa sirf apna samrajya sthapit karta
hai balki usse lagatar badhata bhi jata hai mera bhai surya ki tarah hai aur main andhere
ki tarah uska apna kaam hai aur mera apna usse apna kaam karne se main rok nahi sakta
aur naa hi usme itna saamarthya hai ki wo mere kaam ko rok sake samjhe

Beelzebub:- kuch kuch par main


Asmodeus:- ijazat hai par apni seema mat laanghna isse pehle ki Beelzebub apni baat apne
father ke saamne rakhta Asmodeus ne apni baat kehdi Beelzebub ek baar apne pitah ke
aage jhuka aur gayab ho gaya

Planet: Earth Place: College

hey guyz kya baat hai? aaj sab saath hi pahunche

Shanaya:- hey Vj

Anjali:- hey Vj

Ronit:- haan yaar aaj toh sabki timing match kar gayi main just college pahuncha tha main
jab parking me pahuncha toh Avantika aur Shanaya bhi apni car park kar rahe the mujhe
dekh kar wo meri taraf aane lage aur mere bike stand karte hi mere baazu me ek aur bike
ruki jisme Ronit aur Anjali the meri hi ka jawab sabhi ne diya tha siwaye Avantika ke kal
Warriors World se lautne ke baad se hi Avantika ne mujhse baat nahi ki thi kal hame
waapas aate aate kafi late ho gaya tha Ronit & party ke Warriors World aate hi maine
meri hi tarah un teeno ke bhi clones bana diye the issliye hamare gharon me sab kuch
normal hi tha Avantika mere kal ke faisle ke baad se hi mujhse naraz thi aur uski narazgi
ab tak kaayam thi par abhi main usse kuch bol nahi sakta tha kyu ki Shanaya bhi hamare
saath thi

Shanaya:- han toh fir kaha chalen class ya canteen

Anjali:- class hi chalte hain first lecture start hone hi wala hai

Ronit:- fir chalo

Main:- aaj kal tu Anjali ki kuch zyada hi baat nahi maanne lag gaya hai

Ronit:- abbe isme baat maanne wali kya baat hai class ka time ho gaya hai toh pehle class
hi jayenge naa

Main:- kaisa bf hai tu Anjali ko pyas lag rahi hai aur tune dhayan bhi nahi diya wo canteen
jana chahti thi bas tere liye hi wo pehle class jana chahti hai kyu ki usse pata hai ki tu
economics me thoda weak hai meri baat sunkar Ronit turant Anjali ki taraf palta Anjali
kuch bolne hi wali thi par Ronit uske kuch kehne se pehle hi shuru ho gaya

Ronit:- Anju tumhe pyas lagi thi aur tumne mujhe bataya bhi nahi chalo jaldi canteen class
baad me hoti rahegi
Anjali:- arre meri baat

Ronit:- jo bhi kehna hai paani peene ke baad kehna

Anjali:- arre mujhe koi pyas nahi lagi hai

Ronit:- kya lekin Vj toh idhar main aur Shanaya hase jaa rahe the hasi toh Avantika ko bhi
aa rahi thi par usne khudko control kiya hua tha aur jaise hi Ronit ne meri taraf dekha usse
sab samjh me aa gaya

Main:- kyu beta ab class ke liye late nahi ho rahi hai tujhe

Ronit:- teri toh main par isse pehle ki Ronit mujh tak pahunchta main class ki taraf bhaag
gaya aur mere piche piche Ronit bhi bhagne laga girls hamare piche haste hue aane lagi
ab tak Avantika ne jo apni hasi daba kar rakhi thi mere jaate hi wo bhi khulkar hasne lagi
first 3 lectures humne without break attend kiye aur third lecture ke baad hum paanchon
ki mandli ne canteen me dera daala

Ronit:- yaar aaj toh saare lectures bohat boring the

Main:- abbe tujhe kis din lectures ache lagte hain

Ronit:- dekhna beta A+ aayega mera

Main:- haan 3-4 saal lagatar first year me mehnat kara+ zaroor aayega meri baat sunkar
sab hans diye siwaay khair issi tarah hum kuch der tak ek dusre ki taang khichte rahe iss
douran Avantika ne mujhse ek baar bhi baat nahi ki thi aur na hi mere jokes par usne koi
reaction diya tha aur iss baat ko Anjali aur Ronit ne bhi note kiya tha

Shanaya:- guyz main kya kehti hun bohat dino se bahar dinner nahi kiya? toh aaj raat kisi
resturant me chalen kya?

Anjali:- good idea babes chalte hain what u say guyz?

Main:- thek hai chalte hain par resturant me nahi dhaabe par

Shanaya:- dhaabe par par waha ka khaana hygenic nahi hota

Ronit:- arre kuch nahi hota balki resturant se 100 times zyada maza dhaabe me aata hai
hum teeno toh zyadatar dhaabe me hi khaana khaate hain

Shanaya:- ok then dhaabe par hi chalte hain

Avantika:- guys main nahi aaungi


Shanaya:- kyu?

Avantika:- aise hi mann nahi hai

Shanaya:- tera mann nahi hai par tujhe toh dhaabe ka khana bohat pasand hai naa

Avantika:- hai toh bas aaj mood nahi hai

Ronit:- toh kaun sa hame abhi jana hai raat ko jana hai tab tak tumhara mood bhi ban
jayega par Avantika mana karti rahi aur mere baaki ke dost usse manate rahe

Main:- guyz guyz ab usse nahi jana hai toh usse force mat karo aur yaar dhaabe pe toh
hume raat ko jana hai par filhal toh kuch pet puja yahi par ho jaye

Ronit:- haan yaar bhook toh lagi hai bolo sab kya kya khaoge? maine Ronit aur Anjali ko
dekhkar kuch ishara kiya jise wo dono samjh gaye

Anjali:- tujhe kuch order karne nahi aata chal main bhi chalti hun Shanaya tu bhi chal na
Anjali Shanaya aur Ronit teeno nikal gaye food court ki taraf

Main:- kya hua Avni? Avantika ne meri taraf ghoor kar dekha

Avantika:- tumhe nahi pata?

Main:- maine jo bhi kiya uske liye mujhe bilkul bhi afsos nahi hai Avni kisi ek nirdosh ke
liye bhi main jaan ki baazi laga sakta hun fir waha toh baat pure planet ke logon ki thi
tumhe toh khush hona chahiye ki maine apne liye nahi balki itne saare logon ke liye risk
liya tha khud ke liye toh jaanwar bhi jeete hain agar hum bhi apne bare me hi sochen toh
humme aur jaanwaro me kya fark? maine jo bhi kaha usse ek baar thande dimag se sochna
Avni aur agar meri baat sahi lage toh aaj dinner par aane ke liye haan keh dena iske baad
hamare beech koi baat nahi hui kuch der baad hamare dost aa gaye

Shanaya:- waise kaun sa dhaaba jayenge

Ronit:- Nirmal dhaba south Mumbai ka famous dhaaba hai wahi jayenge hum teeno 8 baje
tumhare ghar aa jayenge tum dono ready rehna

Shanaya:- dono kaha ye toh jaa hi nahi rahi babes chal naa yaar tere bina maza nahi
aayega

Avantika:- thek hai main aaungi Avantika ne mujhe dekhkar ye kaha tha aur uske haan
kehne ke baad Ronit aur Anjali bhi mujhe dekhkar muskuraye
Shanaya:- ye hui naa baat toh fir thek hai hum 8 baje tak ready ho jayenge iske baad kuch
khaas nahi hua hum sab ne do lectures aur attend kiye aur fir apne apne ghar nikal gaye

At Night:

Avantika/Shanaya:- hey guyzz

Hum:- hey

Anjali:- wow yaaru both are looking so pretty

Shanaya:- same to u darling u too are looking gorgeus dinner me jane ke liye maine dad
se unki Suv maang li thi aur ussi me hum teeno sharp 8 baje Avantika ke ghar ke bahar
pahunch gaye the Avantika aur Shanaya gate par hi khade the kyu ki hum dhaabe par jaa
rahe the isliye teeno ne hi long outfit pehne the aur in dresses me teeno ladkiyan keher
dhaa rahi thi Avantika aur Shanaya dono Anjali ke saath piche baith gaye maine gaadi
bhaga di aur kuch hi der me hum dhaabe ke saamne the ye dhaba thoda bahari ilake me
tha yaha par har kism ke log aate the aur aaj bhi dhaabe ke bahar khatiye par kafi saare
bande bandiyan baithe hue the maine car park ki aur hum sab utar kar dhaabe me
pahunch gaye jitne bhi bande waha baithe the sabki nazar hamari teeno girls par teher
gayi thi koi taarif ki nazar se dekh raha tha toh koi hawas ke unhi hawas bhari nazro me
se kuch nazar ek for ladkon ke group ka bhi tha jo humse kuch hi door par baithe hue the
aur lagatar hamari girls ko check out kar rahe the

Shanaya:- ye jagah toh full hai hum kaha baithenge abhi Shanaya ne bola hi tha ki do ladke
do khatiya liye hamare saamne aaye aur khatiya laga gaye

Shanaya:- arre ye kaise?

Ronit:- arre bola toh tha naa ki hum yaha aate rehte hain yaha ka saara staff hame ache
se janta hai

Shanaya:- tabhi hum sab dono khatiya par baith gaye wahi humse kuch hi door me jo for
ladkon ka group baitha tha wo abhi bhi hamari taraf hi dekh raha tha hamare baithethe
hi un ladkon me baat chit shuru ho gayi

Ladka 1:- yaar kya totte hain naa

Ladka 2:- haan yaar ek dum rabdi hain rabdi

Ladka 3:- saali aaj ki daaru ne bhi abhi tak apna asar nahi dikhaya par inhe dekhte hi suroor
sa chaa gaya hai
Ladka 4:- mera toh mann kar raha hai ki abhi dono ko utha lun

Ladka 1:- toh roka kisne hai? chal utha lete hain

Ladka 2:- abbe bakwas band kar dekh nahi raha kya unke saath do hatte katte bodyguards
bhi hain

Ladka 3:- haan yaar par kuch karo yaaron mujhse toh sabar hi nahi ho raha

Ladka 4:- ek kaam karte hain fir usne baaki teeno ko kuch kaha jise sunkar unhone haan
me apni mundi hilayi idhar humne khaane ka order de diya tha

Shanaya:- yaar pehle hand wash waigairah toh kar len yaha par wash rooms kis taraf hain?

Anjali:- uski zaroorat nahi hai ye bolkar Anjali ne apne purse me se hand sanitizer nikal kar
Shanaya ki taraf badha diya

Shanaya:- ye toh thek hai par fir bhi washroom toh jana hi padega ye kehkar Shanaya ne
Anjali ke kaan me bathroom lagne ki baat kahi

Anjali:- wo dekho uss taraf girls ka hai Anjali ne ek taraf point kar diya Anjali ne jis taraf
point kiya tha wo dhaabe ke side se hote hue thoda peeche ki ore tha

Avantika:- chal main bhi chalti hun dono uth kar wash room ki taraf nikal gaye aur unke
peeche peeche hi wo charon ladke bhi ek ke baad ek uthkar chal pade par kuch hi der me
ahhh ahhh abhi Shanaya aur Avantika ko washroom ki taraf gaye hue kuch hi time hua
hoga ki hamare kaano me ye dard bhari awaaz padii ye awaaz ladkon ki thi jise sirf humne
hi nahi waha baithe sabhi ne suni thi abhi koi uss taraf jaakar maamle ka pata lagata ki
tabhi wo chaar ladke jo Shanaya aur Avantika ke piche gaye the wo fati tooti haalat me
langdate par phir bhi thoda tez bhagte hue aaye wo charon ruke nahi aur side dhaabe ke
bahar ki taraf bhaage aur apni car me baith bhaag nikle un charon ke peeche peeche hi
Shanaya aur Avantika bhi nikle par wo dono akele nahi the unke saath me ek ladka bhi
tha

Anjali:- kya hua babes tum dono se just pehle for ladke nikle the jinki haalat theek nahi
thi aur ye kaun hai?

Avantika:- arre wo ladke jo abhi bhaage hai hamare washroom se nikalte hi unhone hume
gher liya tha wo hamare saath badtamizi karne ki koshish kar rahe the hume toh samjh hi
nahi aa raha tha ki hum kya kare par tabhi ye waha pahunch gaye aur inhone hi unhe maar
maar kar bhaga diya
Ronit:- un saalon ki toh thanks bhai aapne hamari frndz ki help ki

Unknown:- arre nahi bhaiye ye toh mera farz tha

Ronit:- by the way I’m Ronit she iss Anjali aur ye hai Vikram

Unknown:- hey guyzz I’m Akshay uss ne hum sabse baari baari haath milaya

Main:- kamaal hai naam bhi Akshay hai aur kaam bhi Akshay kumar wale hi karte ho meri
baat par hum sab hans diye jab usne hame bataya ki wo akela hi hai toh humne usse join
karne ke liye kaha jise usne maan liya baaton hi baaton me usne bataya ki wo Manali se
hai aur jab hamara khaana aaya tab

Akshay:- guyzzz hamari pehli mulakat ko aur khaas banane ke liye mere paas kuch hai wait
ek sec ye kehkar wo utha aur kahi chala gaya aur jab louta toh uske haathon me ek bottle
thi usne wo bottle hamare saamne rakh di

Ronit:- ye kya hai?

Akshay:- ye hamari taraf milne wala ek khaas kism ka drink hai aur isse khaas moukon par
hi piya jata hai Akshay ki baat sunkar mere frndz ek dusre ki taraf dekhne lage

Akshay:- kya hua? any problem

Anjali:- actually humme se koi bhi drink nahi karta

Akshay:- drink matlab? oh I see u mean alcohol? arre yaar ye koi hard drink nahi soft drink
hai hamare yaha ek kalot naam ka fruit hota hai ussi se bana hai

Ronit:- oh aisa hai fir toh zaroor piyenge

Main:- dikhao toh zara maine Akshay ke haathon se wo bottle hi aur usse dekhne laga
bottle dekhne ke baad maine wo bottle saamne rakh di humne kuch glass mangwaaye
jisme uss drink ko serve kiya gaya

Ronit:- arre waah iska taste toh bada sahi hai Ronit ki baat par sabne haami bhari kuch hi
der me hum sabne milkar wo puri bottle khatam kar di uske baad hum sabne khaana
khaaya iss douran kuch khaas nahi hua

Akshay:- ok guys kafi late ho gaya hai main chalta hun ab kabhi Manali aao toh milenge
apna khaana khatam karne ke baad Akshay ne ye baat kahi waise khaana toh sabhi ka
khatam ho gaya tha bas Ronit bhai sahab abhi bhi khaa rahe the sabne Akshay se haath
milakar bye kaha
Main:- chalo main tumhe bahar tak chhod kar aata hun

Akshay:- iski kya zaroorat hai

Main:- bilkul zaroorat hai tumne hamare frndz ki madad kiitni achi drink pilayi itna toh
banta hi hai

Ronit:- yaart hodi der ruk jaa na main khaa lun fir main bhi saath chalta hun

Main:- rehne de tu khaa main chhod kar aata hun main aur Akshay parking ki taraf chal
diye

Akshay:- thanks buddy ab main chalta hun ye kehkar Akshay ne meri taraf haath badha
diya jise maine thaam liya par jab usne haath wapas kheenchne ki koshish ki toh nahi kar
paya kyu ki maine uska haath nahi chhoda tha

Akshay:- kya hua yaar haath toh chhodo

Main:- pehle apni cheez toh wapas lete jao

Akshay:- meri cheez?

Main:- hmm aur ye bolkar maine apna dusra haath aage kar diya aur uske agle hi pal mere
haath me jo aaya usse dekhkar Akshay chonk gaya

Main:- kya hua lo Akshay ne meri taraf hairat se dekhte hue mere dusre haath me jo chiz
thi wo le li

Akshay:- par isse toh abhi kuch der pehle

Main:- nahi piya tha isse toh maine haath me pakadte hi gayab kar diya tha

wapas aa jao meri baat sun Akshay kuch bole ya kare isse pehle hi uske kaano me ye
awaaz gunj gayi Akshay aakhon me hairat liye hue hi gaayab ho gaya

Main:- ye kya hai bhai itni jadli wapas bula liya usse khair main janta hun ki tu ab bhi
mujhe sun raha hoga toh sun aur apni hairat se bahar aa humne jo piya wo sach me Manali
ki ek khaas drink thi kaal drav nahi mere natkhat bhatije Beelzebub

Planet: Isla Place: Kings Palace

aapka swagat hai Lord Crusedar ye kehkar king Solomon Lord Crusedar ke gale lag gaye

Lord Crusedar:- itne lambe antaral ke baad hume bhi aapse milkar jis khushi ki anubhuti
ho rahi hai usse hum shabdo me nahi bata sakte king Solomon Vikram ke warriors world
ke sabhi logon ko theek karke jane ke kuch hi samay baad waha ke saare logon ki chetna
lout aayi thi Warriors World ke logon ki sirf chetna hi nahi louti thi balki unke andar ki dab
chuki achayi bhi lout aayi thi kaiwa ke ras aur kaal drav ke asar me un logon ne kya kya
galti ki thi wo sab bhi unhe yaad aa gaya tha apne saamne Defender ko khada dekh Lord
Crusedar aur unke sabhasad apne ghutno par aagaye unke sar sirf izzat se nahi balki sharm
se bhi jhuke hue the sabko yaad jo aa gaya tha ki un sab ne Defender ke saath kis tarah
ka vyavahar kiya tha Defender ne unhe khud ko doshi na maanne ke liye kaha Defender
ne naa sirf sabko ye bataya ki sab ki jaan kisne bachayi hai balki saath me rakht phool ke
bare me bhi bataya rakht phool ne naa sirf un sab ko theek kiya tha balki usne unke
paapon ko bhi dhokar unka pehle ki hi tarah swach bana diya tha ye jaankar sab bohat
khush hue Lord Crusedar ne Defender se unke jeevendaata (Vikram) se milne ki request
ki jispe Defender ne unse kaha ki jab sahi waqt aayega toh Lord of Angels khud unke
saamne aayenge Isla se Warriors World ka purana gatbandhan tha jo ki unke andar aaye
badlaw ke aane se khatam ho gaya tha Lord Crusedar ussi sandhi ko fir se sthapit karne
ke liye hi Isla aaye hue the

Lord Crusedar:- queen princess Alesandra aap bhi hamara abhivaadan swikar kare queen
aur Alesendra jo apne pitah ke baaju me hi khade the dono ne apna sar halka sa jhukakar
Lord Crusedar ka abhivaadan swikar kiya

King Solomon:- aayiye andar chalte hain king Solomon unki patni beti Lord Crusedar aur
unke saath jo kuch khaas log aaye hue the wo sab palace ke sabha ki taraf chal pade king
Solomon ne Lord Crusedar ko aur unke saath aaye logon ko samman puravak mehmaano
ke sthaan me baithaya

King Solomon:- haan toh bataiye Lord Crusedar sandhi pehle jaisi hi hogi ya aap usme
kuch fer badal karna chahte hain?

Lord Crusedar:- nahi king Solomon hum koi bhi fer badal nahi karna chahte par haan
hamara ek sujhav hai aur uske saath hi hum aapse kuch nivedan bhi karna chahte hain
king Solomon ka Lord Crusedar dwara yun nivedan shabd ka istemal karna acha nahi laga
par wo ye bhi jante the ki Lord Crusedar iss tarah kyu baat kar rahe hain Lord Crusedar
abhi tak apne aap ko chota aur galat hi maan rahe the

King Solomon:- mitrata me nivedan shabd ke liye koi jagah nahi hoti Lord Crusedar hum
jante hain ki aap aaj bhi apne aap ko galat maan rahe hain aur yahi ek mahan insaan ki
nishani hoti hai jo hua usse bhulkar ek nayi shuruat kijiye Lord aur apna sujhaav aur saath
me aapke dil me jo bhi baat hai usse dil khol kar bataiye
Alesendra:- ye raaj nitik baatein baad me sabse pehle chalkar bhojan grahan kijiye abhi
Lord Crusedar kuch kehte usse pehle hi Alesendra waha aa gayi jiski baat sunkar Lord
Crusedar muskura diye

King Solomon:- par beti?

Lord Crusedar:- maaf kijiyega king Solomon par na hum hamari beti ki baat kaat sakte hain
aur naahi hum aapko aisa kuch karne denge agar Alesendra ne kaha hai ki pehle bhojan
hoga toh ab hum aage ki baatein bhojan ke baad hi kare ge Lord Crusedar hamesha se hi
Alesendra ko apni beti hi maante aaye hain issliye unhone king Solomon ki baat ka kaatte
hue apni baat kahi

King Solomon:- ab ye jataya naa aapne mitrata wala hak chaliye pehle bhojan hi kar liya
jaye king Solomon aur Alesendra ke saath saath Lord Crusedar aur unke saath aaye log
bhojan grah me pahunch gaye bhojan grah me sabke baithne ki jagah pehle hi saja di gayi
thi sabhi apne apne sthaan par baith gaye aur jab bhojan parosa gaya toh sabne aankh
band kar pehle ishwar ko yaad kiya par Lord Crusedar ne ishwar ke saath saath Vikram ko
bhi yaad kar bhojan grahan karna shuru kiya bhojan samapt kar Lord Crusedar apne logon
aur king Solomon ke saath wapas sabha me aakar baith gaye

King Solomon:- haan toh ab batayiye king Crusedar kya sujhav hai aapka?

Lord Crusedar:- hamara sujhav ye hai ki kyu naa Isla aur Warrior's World ko ek grah setu
se baandh diya jaye isse dono grah ke log jab chaahen ek dusre ke grah me aa jaa sakenge
isse vyaapar aur anya len den me aasani aur vividhata aayegi aur saath hi dono grah ke
sainya bal ki shamta bhi kayi guna badh jayegi Lord Crusedar ki baat sunkar king Solomon
khush ho gaye par agle hi pal soch me bhi pad gaye

Lord Crusedar:- kya hua king Solomon? kya aapko hamara sujhav pasand nahi aaya?

King Solomon:- hume aapka sujhav bohat pasand aaya hai par jo aap keh rahe hain wo koi
choti moti baat nahi hai grah setu banane ke liye jo shakti chahiye wo na hamare paas hai
aur naahi hi hamare kisi grah waasi ke paas hai

Lord Crusedar:- aisi shakti toh hamare paas bhi nahi hai par hum isme hamare grah ke
Defender ki madad le sakte hain

King Solomon:- arre haan ye hum kaise bhul gaye Defender toh ye kar hi sakte hain uske
baad Lord Crusedar ne apne Defender ka awaha kiya aur agle hi pal sabha ke beech ek tez
bijli ke gadgadahat ke beech Defender prakat hue Lord Crusedar king Solomon aur waha
moujud sabhi Defender ke samman me jhuk gaye fir Lord Crusedar ne Defender ke
saamne apni baat rakhi jise sunkar Defender bhi khush ho gaye par agle hi pal unke chehre
par maayusi chaa gayi

Defender:- aap sab ki soch bohat achi hai kintu main isme aapki sahayata karne me
asamarth hun hamara grah abhi abhi paap mukt hua hai issliye abhi hamara grah kamzor
hai aur aap sab ko toh ye pata hi hoga ki kisi bhi Defender ki shaktiyan uske grah ke taakat
ke saath hi judi hoti hain issliye mere grah ke saath saath hi meri bhi shakti abhi kafi seemit
hai grah setu banane ke liye jitni shakti chahiye utni abhi mere andar nahi hai Defender ki
baat sunkar sabhi maayus ho gaye ki tabhi Defender jahan khade the thek uske upar se
ek tez roshni ki ray paida hui aur Defender ke seene ke bicho beech aakar padne lagi ye
sab itna achanak hua tha ki kisi ko kuch bhi karne ka mouka hi nahi mila jahan sabhi hairan
pareshan se dikh rahe the wahi Defender ki aankhen band ho chuki thi aur wo hawa me
sidha leta hua tha wo roshni kuch der tak Defender par padti rahi fir jaise aayi thi thek
waise hi achanak gaayab ho gayi roshni ke gaayab hote hi Defender ka sharir bhi dheere
dheere zamin par aa gaya Defender zamin par toh aa gaya tha par abhi bhi uski aankhen
band thi aur saath hi uski saanse bhi phuli hui thi dheere dheere Defender ki saanse bhi
control me aane lagi aur jaise hi wo normal hua Defender ne apni aankhen khol di ab
Defender ka pura sharir glow kar raha tha aur uske chehre par asimit khushi dikhayi de
rahi thi

Lord Crusedar:- aap thek toh hain naa Defender? aur ye sab kya tha? jo roshni abhi abhi
Defender ke upar padi thi uski chamak itni tez thi ki pura raaj mahal usse ujwalit ho gaya
tha issliye Alesendra aur uski mata bhi daudti hui sabha me aa gayi thi unhone bhi
Defender ke saath jo bhi hua tha wo dekha tha aur iske peeche ka reason janane ke liye
excited the

Defender:- mujhe meri saari shaktiyan wapas mil gayi ye bolte waqt Defender ke chehre
ki khushi aur badh gayi thi wahi Defender ki baat sunkar Lord Crusedar aur waha moujud
sabhi log shocked ho gaye the kisi ko bhi ye samjh nahi aa raha tha ki ye chamatkar kaise
hua? par isse pehle ki Lord Crusedar ya aur koi Defender se iske bare me kuch
puchtaDefender ke mouh se unke sawalon ka jawaab ya yun kahu naam nikal gaya
Defender apne ghutno ke bal haath jode baith gaya

Defender:- hey Lord of Angels tera laakh laakh dhanyawaad jo tune mujhe punah shakti
shali bana diya apne logon ki madad naa kar paane ke kaaran main apne aap ko bohat
laachar aur chota mehsoos kar raha tha par tere iss upkar ki wajah se ab main firse apna
daayitv theek se nibha paaunga

Main:- iss bramhaand me koi bhi cheez muft me nahi milti hai Defender har cheez ki
keemat hoti hai aur tumne apne shakti ko paane ki keemat mere hisse ke dard ko khud
jhelkar pehle hi chuka di hai issliye aisa sochna band karo ki maine tumpe koi ehsaan koi
upkaar kiya hai meri ye awaaz Defender ke dimag me gunji thi meri baat sunkar Defender
ki khushi doguni ho gayi meri awaaz ke khatam hote hi Defender khada ho gaya

Lord Crusedar:- Defender agar aapki ijazat ho toh kya main aapse kuch puch sakta hun?

Defender:- puchiye

Lord Crusedar:- abhi aap Lord of Angels se hi baat kar rahe the na?

Defender:- baat nahi kar raha tha unki prabhavshaali baatein sun raha tha Defender ki
baat sunkar Lord Crusedar udaas ho gaye

Defender:- kya hua? aap itne udaas kyu ho gaye?

Lord Crusedar:- meri bhi teevr icha hai ki ek baar Lord of Angels ke darshan kar sakun unki
awaaz sun sakun

King Solomon:- ye icha toh meri bhi hai najane wo din kab aayega jab hum unhe saamne
se dekh payenge?

Defender:- bohat jald ab main chalta hun maana ki mere paas ab ek grah setu ko banane
jitni shakti aa gayi hai fir bhi isme kafi waqt lagega ye kehkar Defender gayab ho gaya
Defender ke gayab hone ke baad Lord Crusedar aur king Solomon wapas apni apni jagah
par baith gaye

King Solomon:- chaliye grah setu ki pareshani toh door hui

Lord Crusedar:- haan par mera ek nivedan aur hai

King Solomon:- Lord Crusedar maine pehle hi kaha hai ki mitrata me nivedan nahi hote
aap bejhijhak apni baat kahe

Lord Crusedar:- jaisa ki aap jante hain ki hum firse apni sena ko tayar kar arhe hain par
iske liye hamare paas sirf Heinsberg hi hai hum aapse aapke kuch kushal yodha chahte
hain jo hamare sainkon ko prashikshan den
King Solomon:- baat toh aapki thek hai par abhi hamare grah ke sabhi ache yodha kahi
gaye hue hain

Lord Crusedar:- gaye hue hain kahan?

King Solomon:- ek yudh spradha me bhaag lene ke liye aur hum bhi kal uss spradha ko
dekhne ke liye jaa rahe hain arre haan aap ek kaam kijiye aap bhi hamare saath chaliye
uss spradha me bohat se grahon ke bohat se shurvir apna yudh koushal dikhane aate hain
aap un yodhaon me se jo bhi aapko uchit aur saksham dikhe usse apne sainikon ko nipun
banane ke liye rakh lijiyega

Lord Crusedar:- arre waah ye toh aur bhi acha ho gaya isse hum zyada se zyada yodhaon
ko niyukt kar payenge waise ye yudh spradha kis grah me aayojit hone wala hai

King Solomon:- Gluto Planet: Earth

Place: Magical Dimension

yaar ab toh humne saare levels paar kar liye hain ab kis cheez ka wait kar rahe hain hum
chalte hain naa Warriors World se wapas aane ke baad Ronit kuch zyada hi excited ho
gaya tha aur jo waada maine usse kiya tha usse pura karne ke liye baar baar keh raha tha

Main:- abhi tum dono ne levels paar kiye hain tests nahi diye? ek baar tumhare tests ho
jaye unme tum dono paas ho jao fir chalte hain

Ronit:- tests yaar abhi do din pehle hi toh clone combat fight ka test diya tha ab aur kya
test dena baaki hai?

Main:- wo test nahi tumhare training ka abhi ke liye final level tha tests toh tumhe ab
dene hain?

Ronit:- theek hai bhai bata kya test dena padega

Anjali:- test nahi Vj ne tests kaha hai matlab hume ek se zyada test dene hain

Main:- bohat khub Anju tumhe kul teen tests dene the jinme se ek ho chuka hai jisme
Anju tu paas aur Ronit tu fail ho chuka hai meri baat sunkar dono shocked ho gaye

Ronit:- kaun sa test? aur main fail kaise hua?

Main:- samjh yahi tha tum dono ka pehla test har baat ke andar ek baat hoti hai jise
samjhna bohat zaroori hota hai Anju meri baaton ko dhayan se sun rahi thi issliye usne
samjh liya ki test ek nahi ek se zyada honge jabki tu apni hi tel tal raha tha Ronit ladhai
hamesha talwar aur spells se nahi ladi jati dimag ki ladhai sabse badi ladhayi hoti hai hume
hamesha apne dimag aur kaan dono ko khula rakhna chahiye kyu ki ek taakatwar
dushman se ladhne se kayi guna mushkil hai ek buddhi maan dushman se ladhna iss baar
Ronit meri baaton ko dhayan se sun bhi raha tha aur samjh bhi raha tha

Main:- khair tum dono ke do test hone hain jo aaj se hi shuru honge agar aaj ke test me
tum sab ne thek kiya toh fir agla test kal hoga usme bhi tumne thek perform kiya toh main
apna waada pura kar dunga

Ronit:- ek second tune abhi kaha sab log ye sab kaun hain? Ronit ki baat sunkar mere
chehre par ek garv se bhari smile aa gayi kyu ki iss baar usne meri baaton ko naa sirf suna
tha balki samjha bhi tha

Main:- bohat ache Anjali ke saath saath tu bhi first test me paas ho gaya aur sab se mera
matlab hai iske aage maine kuch nahi kaha mere baaju me hi ek world door khul gaya aur
usse jo log bahar nikle unhe dekhkar Ronit aur Anjali khush ho gaye ye teeno aur koi nahi
balki Akshaant Mokalsar aur Shaila the haalaki Ronit aur Anjali ko sikhane ke baad teeno
hi unke bhi friends ban gaye the par fir bhi jaise hi wo teeno Ronit aur Shaila ke saamne
aaye wo dono ek baar un teeno ke aage jhuke phir doston ki tarah baari baari se sab gale
mile waise kaayde se wo teeno mere bhi Guru the par meri position ab aisi ho gayi thi ki
un teeno ko mera unke aage jhukna bura lagta tha issliye maine bhi teeno ko baari baari
hug kiya

Shaila:- yaar tum dono kitne lucky ho jo Vikram tumhe training deta hai

Main:- meri training toh tumhe bhi milti hai

Anjali:- ek secondtu inhe kab training dene chala gaya?

Ronit:- aur hume bataya tak nahi?

Mokalsar:- arre Vikram khud hume training dene nahi aaya jo bhi training tum yaha karte
ho wo hume apne grah par dikhayi dete hain wahi dekh dekh kar hum bhi sikhte hain
tumhari hi tarah humne bhi clone combat fight ki training li hai

Anjali:- matlab aaj hum sab milkar test denge tab toh maza aa jayega

Main:- tum sab test toh doge par milkar nahi balki ek dusre ke opponent banke

Sab:- kya aa meri baat sunkar paanchon hi chonk gaye the


Main:- haan tum sabhi ne ek si training li hai ab mujhe ye dekhna hai ki kaun kitni achi
tarike se apne tecnique me perfect hua hai

Main:- aur haan tum me se koi bhi spells ka use nahi karega shashtra yudh bas yahi karna
hai tumhe aaj paanchon kuch der tak ek dusre ka chehra dekhte rahe ya yun kahu apne
aap ko iss test ke liye ready karte rahe fir ek dusre se kuch door khade ho gaye ab ye
paanchon ek round angle bana kar khade the kyu ki ye shashtra fight thi issliye apne apne
jagah par pahunchte hi sabke haath me ek ek talwaar aa gayi thi sab kuch der tak ek dusre
ko dekhte rahe maano ek dusre ki taakat ko naap rahe hon aur agle hi pal tez taraar aandhi
ki tarah ek sharir apne jagah se uchla yaa ye kahu ucchli aur apne right wale bande ki
taaraf ud chali ye aur koi nahi Anjali thi jisne iss yudh ki shuruat ek anokhe aur naye daav
ke saath kar di thi aur jis par Anjali ne pehle hamla kiya tha wo aur koi nahi Akshaant tha
par Anjali ke sharir ko ek teer ki shakl le kar apne paas aate hue dekhte hi Akshaant ne
apni jagah se chalaang laga di aur agle hi pal wo Anjali ki pehli wali jagah par khada tha
apne waar ko khaali jata dekhkar bhi Anjali nahi ruki aur usne hawa me hi apni talwar ko
zamin par rakha ya ye kahu ki zamin par apne talwar se pressure banate hue apni jagah
se halka turn lete hue apne dusre opponent jo ki uska bf hi tha uski taraf badh chali par
Akshaant ki hi tarah Ronit bhi chonkana tha usne bhi Akshaant ki hi tarah apne jagah se
chalaang lagayi aur agle hi pal wo Akshaant ki jagah par khada tha par Ronit ne jagah
badalte hi Akshaant ki taraf chalang lagayi aur tannn Akshaant aur Ronit ki talwaar aapas
me takraye wahi Anjali ek ke baad ek apni talwar ko zamin me gadate hue apni jagah
badalte hue pura round ghum chuki thi Mokalsar ne bhi Anjali ke paas aate hi jagah badal
di thi par Anjali ka sharir jaise hi Shaila ke paas pahuncha toh Shaila ne apni jagah nahi
badli balki usne khud bhi ek teer ka aakaar le saamne chalang laga di tannn ye do awaaze
ek ke baad ek hui hua ye ki Shaila aur Anjali ke talwar ki nok ek dusre ke saath takraaye
aur agle hi pal dono talware beech se hi kat gaye ek dusre ke talwaron ko kaatte hue dono
ne hawa me hi ek dusre ke haathon ko thaam liya aur opposite pressure ka use karte hue
dono ne apne aap ko piche pull kiya agle hi pal dono ek dusre se kuch door apne paaon
pe khade the wahi Akshaant aur Ronit ke talwaaron ke beech se saayennn ki awaaz ke
beech se ek talwar nikli dono ne apne right ki taraf dekha jahan Mokalsar apne kamar par
haath rakhe khada tha

Mokalsar:- mujhe bhul gaye doston aur issi ke saath Mokalsar ne ek chalaang lagayi hawa
me hi uske haathon me do talwar aa gayi waha Anjali aur Shaila ne bhi talwar baazi shuru
kar di thi dono ke haath itni tezi se chal rahe the ki dekhne par unka jo waar ek baar dikh
raha tha wo asal me unka 10wa vaar hota tha wahi dusri taraf Mokalsar Akshaant aur
Ronit ke upar apne dono haathon me pakdi talwar chalane laga ye usne kuch der hi kiya
tha kyu ki kuch hi der me team badal gayi ab Akshaant aur Mokalsar saath milkar Ronit ke
saath yudh kar rahe the aur issi tarah firse team badal gayi pure Magical Dimension me
iss waqt bas ye paanchon hi lad rahe the par inki speed itni zyaada thi ki door se dekhne
par aisa lag raha tha maano hazaaron logon ki sena lad rahi ho in paanchon ke beech ka
yudh lagatar kayi ghanton tak chalta raha par koi bhi natija nahi nikla

ruk jaao pure Magical Dimension me meri awaaz gunj gayi aur issi ke saath mere
paanchon doston ki talwaaren bhi apne ap gayab ho gayi ab tak hawa se tez gati se ladhne
wale mere dost rukte hi zor zor se haafne lage wahi main chalta hua unke paas pahuncha
kuch waqt laga par fir sabhi normal ho gaye

Ronit:- yaar abhi tak hum me se koi haara nahi hai fir roka kyu?

Main:- maine ye kab kaha tha ki tumhe ek dusre se jeetna hai maine toh bas tum sab ko
ek dusre ke saath yudh ladne ko kaha tha jo tum sabne ladh liya

Shaila:- par natija

Main:- natije jeet ya haar hi nikleye kisne kaha? tum sab apne pure saamarthya se lade
aur mujhe ye dekhkar bohat khushi hui ki tum sab ki yudh shamata ek dusre ke barabar
hi hai agar tumme se koi ek bhi haar jata toh uske saath saath tum sab haar jaate par kyu
ki aisa nahi hua issliye tum sab apne pehle test me paas ho gaye ho meri baat sunkar sabhi
ke chehre par khushi ki leher doud gayi Ronit apni aadat ke anusar kuch zyada hi excited
ho gaya tha

Main:- bhai abhi se itna excited hone ki zaroorat nahi hai abhi tum sab ka ek aur test baaki
hai

Ronit:- ek baat bata agle test me bhi hum sab ko toh ek saath nahi ladna hai naa

Main:- nahi

Ronit:- toh fir aane de bhai jo bhi hoga hum sab usse nipat lenge

Shaila:- aur nahi toh kya? waise agle test me bhi fight hi karna hai naa?

Main:- haan

Shaila:- mujhe laga koi dimag wala kaam hoga fight hi karna hai toh fir koi tension nahi
hai
Ronit:- aur agar hum wo fight jeet gaye matlab hum sab test me paas naa

Main:- haan bilkul

Anjali:- ek minute Ronit hume kisse ladhna hoga Vj?

Main:- mujhse

Planet: Gluto Place: Nishkalika's Palace

kya baat hai gudiya? aaj tu badi khush dikh rahi hai

Bhuvika:- khushi ki hi toh baat hai naa didi main na jane kabse aapke grah ke vaarshik
yudh spradha ko dekhna chahti thi aur aakhir wo samay aa hi gaya jab meri ye khwahish
puri hone wali hai ye kehkar Bhuvika phir se uchalne lagi

subah ka waqt hai aaj Gluto ke vaarshik yudh pratiyogita ki tayariyon ko shuru hue ek
hafta ho chuka tha waise toh Gluto me zyadatar tayariyan magic se hi hoti hain par kyu ki
iss pratiyogita me bhaag lene ke liye bohat se grahon ke raaj gharon se bhi log aate hain
issliye unke swaagat ke liye vishesh tayariyan ki jati hain Gluto stav jis waqt Nishkalika ne
pehli baar iss pratispradha me bhaag liya tha tab iss spradha ka yahi naam hua karta tha
par jabse Nishkalika ne iss spraddha ko jeetkar Gluto me shaashan karna shuru kiya hai
tabse iss spraddha ka naam badal kar Nishkalika utsav rakh diya gaya hai iss pratiyogita
me jitne bhi paratis padhi acha performance dete hain unhe Nishkalika achi keemat dekar
apni hi sena me rakh leti hai Nishkalika ka janm Warriors World ki tabahi ke kafi baad hua
tha aur ye kehna galat nahi hoga ki ek waqt par jo rutba Warriors World ki sainya taakat
ka tha aaj ki taarikh me waisa hi rutba Nishkalika ki sainya bal ka hai jaisa ki maine bataya
ki pratiyogita ke baad har acha yodha Nishkalika ke sainya bal ka sadasya ban jata hai
issliye agar kisi grah ke raaj gharaon ko unme se koi yodha pasand aa jata hai aur wo usse
apne saath le jana chahte ho toh iski unhe Nishkalika ko ek bohat bhaari keemat deni hoti
hai toh yahi hai Nishkalika utsav ki kahani aur sach aur jaise hi Bhuvika ko iss spraddha ke
aayojit hone ki khabar mili wo bohat excited ho gayi

Nishkalika:- ek baat toh bata tujhe toh maar kaat ladhayi jhagda bilkul bhi pasand nahi fir
yudh spraddha ke liye tu itni utawali kyu hai?

Bhuvika:- arre toh ye kaun si asli ladhai hai ye toh bas ek spraddha hai aur spraddha wali
yudh dekhne me kya burayi

Nishkalika:- hmm toh fir tu yaha kya kar rahi hai maidan me abhi bohat se pratiyogi apna
naam likhane ke liye aaye honge jaa jaakar waha ke mahoul ka lutf utha
Bhuvika:- arre haanye toh main bhul hi gayi thi thek hai didi main maidan jati hun ye
bolkar Bhuvika waise hi uchhalte kudte hue bahar nikal gayi

Maharani Nishkalika ki jay ho abhi Nishkalika apne kaksh me jane ke liye uthi hi thi ki itne
me waha Dwarpaal aa gaya

Nishkalika:- bolo Dwarpaal kya samachar laaye ho?

Dwarpaal:- aapse bhet karne ke liye Warriors World aur Isla ke maharaaj apne parivaar
ke saath aaye hue hain

Nishkalika:- sammaan purvak andar le aao Dwarpaal ne ek baar apna sar jhukayeaa aur
wapas chala gaya aur thodi hi der baad Nishkalika ke sabha bhawan ke andar Lord
Crusedar aur Isla ke maharaj king Solomon apni family ke saath upasthi th hue

Nishkalika:- aapko aur aapke pure pariwar ko punah dekhkar bohat acha laga king
Solomon asha karti hun ki har baar ki tarah iss baar bhi aap yodhaon par boli avashya
lagayenge Nishkalika utsav me hone wale yudh spraddha ko dekhne aane wale bohat se
log yodhaon par paise lagate the jisme se ek naam king Solomon ka bhi tha isse Gluto ke
aaya me bohat vriddhi hoti thi

King Solomon:- wo toh hum lagayenge hi maharani Nishkalika aur saath hi apne saath iss
saal ke spraddha me acha pradarshan karne wale kuch yodhhaon ko bhi saath le jayenge

Nishkalika:- awashya

King Solomon:- par hamara abhi aapse milne aane ka mukhya kaaran hai aapko inse
milana ye hain Warriors World ke king Lord Crusedar

Nishkalika:- Lord Crusedar Gluto me aapka swagat hai Nishkalika ke abhivaadan ka jawab
Lord Crusedar ne halki si apne sar ko jumbish dekar ki Lord Crusedar ko Nishkalika ke
andar ek bohat hi strong negetive energy feel ho rahi thi wo yaha rehna nahi chaahte the
par majboori vash ruke hue the

King Solomon:- maharani Nishkalika Lord Crusedar bhi hamari hi tarah yaha se kuch yodha
apne grah me lejana chahte hain

Nishkalika:- ye toh bohat achi baat hai hume bhi inki maang puri karne me bohat khushi
hogi kintu Nishkalika ke kintu pe atakne se king Solomon aur Lord Crusedar chonk gaye

King Solomon:- kintu


Nishkalika:- kintu iss baar yodhaon ka mulyankan karna thoda mushkil hoga

King Solomon:- hum samjhe nahi

Nishkalika:- iss baar har yodha ke chunaaw ki shuruati boli ek lakh sikke honge

Sab:- kya

Alesendra:- par itne adhik kyu? har saal toh shuruati boli 10 hazar sikke hua karte the ek
saath 10 guna tak mulya badha denaye toh anuchit hai

Nishkalika:- toh fir aap boli me bhaag mat lijiyega Nishkalika ne ek laalchi muskaan ke
saath short me apni baat bol di Nishkalika ke jawab ko sunkar Lord Crusedar aur king
Solomon ko ghussa toh bohat aaya par wo jante the ki iss waqt wo Nishkalika ke grah par
hain aur uske upar zaroorat bhi unhi ki hai issliye dono shaant hi rahe

Nishkalika:- aap sab hamare khaas mehmaano me se hain aaj ka din hamare iss sundar
grah aur hamari mehmaan nawaazi ka lutf uthayiye aur kal se shuru hone wali spraddha
ka aanand lijiye hume apne maha utsav ke taiyaariyon ke niriskhshan hetu jana padega
baad me mulakat hogi ye bolkar Nishkalika bina kisi ki taraf dekhe ya abhivaadan kiye
bahar nikal gayi

King Solomon:- ek lakh sone ke sikke wo bhi shuruati boli hume nahi lagta ki ye souda kahi
se bhi uchit hai

Lord Crusedar:- par hamare paas aur koi upaay bhi toh nahi hai hume ache yodhaon ki
atti awashaykta hai

Alesendra:- upay kaise nahi hai Defender aur ab toh unke paas unki shaktiyan bhi lout
aayin hain hum unse madad le lenge

Lord Crusedar:- nahi putri ye sab rajnitik masle hain aisi pareshaniyon ke liye hum
Defender ki madad nahi lete aur waise bhi iss waqt wo grah setu jaise mahatvapurn kaarya
me uljhe hue hain aise me unse aur kuch maangna anuchit hoga

Alesendra:- toh kya hum Nishkalika ki maangon ko maan len

Lord Crusedar:- hum aur kar bhi kya sakte hain?

King Solomon:- aap kabse itne nakaratmak ho gaye Lord Crusedar aap bhul rahe hain ki
aapne apne dum par Warriors World ko iss bramhaand ka sabse taakatwar grah banaya
tha agar aap ek baar ye kaam kar sakte hain toh dobara bhi kar sakte hain
Lord Crusedar:- par usme kafi waqt lag jayega aap toh jante hain ki aisi bohat si black
energies wale grah hain jo kabhi bhi white energies wale grahon par aakraman kar dete
hain agar abhi ya nikat bhavishya me un grahon me se kisi grah ne humpe akraman kar
diya toh hum haar jayenge

King Solomon:- aisa kuch nahi hoga aur aisa kuch hua toh uske liye hamare paas Defender
toh hain hi naa chalo yaha se chalte hain ab hum yaha se koi bhi yodha nahi le jayenge
Lord Crusedar ko king Solomon ki baat thek lagi aur unhone bhi wapas jane ka nirnay liya
abhi sabhi ne apne kadam aage badhaye hi the ki

kahi jane ki zaroorat nahi hai wahi raho jo bhi tumhe chahiye wo mil jayega ye awaaz
Alesendra ke kaano me gunji thi jise sunkar ek pal ke liye toh Alesendra chonk gayi par
jaise hi usse iss awaaz ke malik ke bare me yaad aaya uska chehra khil utha

Alesendra:- (mann main) Vikrammm

Alesendra:- hume kahi jane ki zaroorat nahi hai Alesendra sabse piche chal rahi thi
Alesendra ki awaaz aur baat sun sab chonk gaye aur ek saath piche patlte

King Solomon:- kya hua putri? aur jane ki zaroorat kyu nahi hai?

Alesendra:- wo aapko kal pata chal jayega filhal ke liye itna bata deti hun ki kal aap sab ki
do khwahishen puri ho jayengi Alesendra ki baat ka matlab kisi ko bhi samjh nahi aaya

Lord Crusedar:- kaun si do khwahishen putri?

Alesendra:- wo aapko kal pata chal jayega abhi ke liye mujhpe vishwas kijiye aur jaisa uss
Nishkalika ne kaha yaha ki sukh suvidhaon ka aanand uthayiye sabne Alesendra se kuch
aur der tak uski baaton ka matlab pucha par usne kal ka bol kar sabko taal diya aakhir me
Alesendra ki baat maante hue sabne rukne ka faisla kar liya aur apne mehmaan khaano ki
taraf nikal pade

Planet: Earth Place: Magical Dimension

toh tum sab tayar ho? meri iss baat par sab jawab dena chhod ek dusre ki taraf dekhne
lage jahan ye sab ek saath milkar bhi mujhse yudh karne me ghabra rahe the wahi
Avantika ye soch kar ghabra rahi thi ki main akela itne saare logon se kaise ladunga ji haan
aaj mere doston ke final test ko dekhne ke liye Avantika madam bhi aayi hui hai jaisa ki
aap ko maalum hai ki aaj mere doston ka final test hai aur wo test hai mere saath yudh
karna hai Avantika ko kal college me jab Anjali aur Ronit ne kal ke training ke bare me
bataya toh wo humse kafi naraz hui iski ye wajah thi ki maine usse kal rest karne ke liye
kaha tha Anjali aur Ronit to ab normal nahi rahe par Avantika ki body toh normal hi thi
Warriors World ke adventure aur jhatko se ubharne ke liye Avantika ko time chahiye tha
issliye maine usse kal aane se roka tha par usne aaj aane ki zid ki jiske liye main maan gaya
yaha aakar usne jab Shaila Mokalsar aur Akshaant ko dekha aur ye jana ki wo bhi dusre
grah se hain toh usse fir jhatka laga aur jab usse ye pata chala ki aaj test me main akela
un paanchon se ladunga toh wo ghabra gayi kyu ki usne Anjali aur Ronit ko ladte hue
dekha tha aur Ronit ne usse ye bhi bata diya tha ki baaki ke teen bhi unhi ke jitne hi
powerful hain

Main:- guyzz main janta hun ki tum sab kya soch rahe ho par tum sabko tension lene ki
koi zaroorat nahi hai kyu ki main waise hi ladunga jaisa apni training ke waqt ladta tha
jahan Avantika ko meri baat ka matlab samjh nahi aa raha tha aur wo puch bhi nahi sakti
thi kyu ki maine usse kaha tha ki jab waqt aayega toh usse sab kuch apne aap hi pata chal
jayega wahi meri baat ko sunkkar mere frndz khush ho gaye

Ronit:- toh aisa bol naa bhai chal thek hai apni zindagi me pehli baar haarne ke liye tayar
ho jaa main Ronit ki baat sunkar muskura diya

Main:- tum sabko mujhe harana nahi hai bas mujhpe safaltapurvak ek waar karna hai meri
baat sunkar sab fir shocked ho gaye

Anjali:- are u sure

Main:- damn sure babes chalo fir shuru karte hain paanchon ne mujhe ek round shape
lekar gher liya abhi tak mere haathon me koi bhi hathyar nahi aaya tha jabki un sab ke
haathon me talwar thi aur agle hi pal saayenn saayeenn mujhpar do hamle ek saath hue
aur ye dono hamle Shaila aur Anjali ne kiye the pehle hamle me unhone apne apne talwar
meri taraf feke dono ki hi talwaare ek jaisi speed ke saath meri taraf badhi aur uske agle
hi pal unhone mujhpe apna dusra hamla kiya iss hamle me unhone khud ko hi hathyar
bana liya tha apni talwar ke hi shape me dono apni jagah se meri taraf kude jaise hi dono
talwar mere pass pahunche maine apne sar ko halka sa peeche kar liya aur tannnn mere
just aankhon ke saamne mujhse 3 inch door dono hi talwaro ki nok aapas me takraaye
dono talwaaron ke nok se takraate hi maine apni ek ungli ko saamne jhatka sa diya meri
ungli dono talwaron ke nok se takrayi aur aisa hote hi talwaar ghum gaye aur mere dono
haathon me dono talwaar ki mooth aa gayi aur agle hi pal ek saath do cheeze huin mera
sharir apni hi jagah par hawa me uchal gaya maine apne dono pairon ko full strech kar
diya Anjali aur Shaila jo apne ek ek haath ko mutthi ki shakl dekar udte hue mere taraf aa
rahe the dono ki mutthi mere strech ho chuke pairon ke peeche ke hisse se takraaye aur
theek ussi waqt maine apne dono haathon me pakdi talwar ko saamne aur peeche tezi se
ghumaya jise hawa me itni zyada energy paida hui ki saamne aur peeche se udte hue aa
rahe Mokalsar aur Akshaant ke sharir ussi energy ke prabhav me aakar wahi gir gaye par
abhi hamle hone khatam nahi hue the mera bhai Ronit abhi baaki tha jo front flips maarta
hua tezi se meri taraf aa raha tha aur jaise hi mere talwaaron ke dwaara paida hui shakti
se Mokalsar aur Akshaant aur mere pairon se takrakar Anjali aur Shaila gire tab tak Ronit
mere paas pahunch chuka tha par jaise hi uske pair mere sar ke paas pahunche main halka
side hat gaya aur wapas ghumne se pehle hi maine uske pair ko apne pairon ke beech
jakad liya wahi girne ke baad baaki charon turant apni jagah par khade ho gaye the aur
meri taraf badh rahe the maine apne dono haath zamin par tikaye aur maine Ronit ko
uske pairon ke zariye jise maine jakad rakha tha tezi se gol ghumana shuru kiya aur kuch
spins ke baad maine Ronit ko Akshaant aur Mokalsar ki taraf ucchal diya aur agle hi pal
main apne dono haath ko jo ki zamin ko pakde se hue the unhe jhatka diya jise agle hi pal
main Anjali aur Shaila ke saamne khada tha ye sab second ke 10ve hisse me hua tha jiski
wajah se Anjali aur Shaila ko kuch samjh nahi aaya aur jab tak dono sambhalte maine
dono ke baazu ko pakad peeche dhakka diya mere piche Mokalsar Akshaant aur Ronit jo
ek dusre se ulajh kar gir gaye the wo ab tak khade bhi ho gaye the aur meri taraf badh bhi
gaye the kyu ki meri peeth unki taraf thi issliye wo teeno thode careless the maine dono
ladkiyon ke baazuon ko pakad kar jaise hi dhakka diya dono ke sharir tez gati se piche ki
taraf gaye wahi teeno ladke apni taraf yun achanak ladkiyon ko aate dekh hadbada gaye
Shaila Akshaant ke upar giri wahi Anjali Ronit ke upar par insab ke saath saath Mokalsar
bhi hadbada gaya tha aur uske sambhalne ke pehle hi main uske saamne tha usne mere
chehre ko nishana banakar apna haath ghumaya par maine uska haath beech me hi pakad
liya aur saath hi uske biscep ke neeche wale hisse par ek punch kiya isse uska haath pura
sunn padh gaya usne apna dusra haath ghumaya par maine usse bhi ek punch maarkar
sunn kar diya wahi dusri taraf baaki chaar bhi ab tak uth chuke the aur sabhi ek saath
mere taraf lapke par mera sharir unse 10 guna tezi se charon ki taraf ghuma aur maine un
sab ke wo parts jinme se nas halki bahar nikalkar dikhti hai usse dabata chala gaya isse un
sab ki puri body me ek jhun jhuni si paida ho gayi aur wo sab gir gaye mujhe pata tha ki
un sab ko recover hone me thoda waqt lagega maine peeche palat kar dekha toh mujhe
hasi aa gayi Avantika mujhe fati aankhon se dekh rahi thi maine usse ishare se kya hua
pucha?

Avantika:- aakhir kaun ho tum? main uske sawal par bas hans diya
Main:- come on guys jaldi utho real fight me itna time nahi milta par meri baaton ka kisi
pe bhi koi asar nahi hua wo sab apne sharir ki jhun jhuni ko kam karne me lage hue the

Main:- theek hai fir bhul jaao ki main tum sab ko ab kahi lekar jane wala hun aur Shaila
tum bhi apna badla bhul jaao yaha meri baat khatam hui waha do log uth gaye ek tha
Ronit aur dusri thi Shaila aur un dono ke piche piche hi baaki sab bhi khade ho gaye aur
iss baar un logon ne jo mujhpe hamla kiya wo pehle se 10 guna zyada tez aur shakti se
kiya tha waise toh main un sab ke har waar ko aasani se rok raha tha par uska kaaran ye
tha ki bhale hi main un sab se normally lad raha tha par meri shaktiyon ki wajah se meri
speed movement aur skill un sab se saikdon guna aage thi unsab ke waar karne ke tarike
ko dekhkar main andar hi andar bohat khush ho raha tha kyu ki unki speed aur taakat ka
shayad hi koi yodha saamna kar sakta tha par in paanchon me bhi Ronit aur Shaila ki speed
aur sabse upar unka jazba kabile taarif thi un dono ke har waar lagatar aur ghatak hote
jaa rahe the hume ladte hue kafi der ho gaya tha un paanchon ke chehre par thakan ke
bhaav dikhne lage the par Ronit aur Shaila hi aise the jinke waar ki speed aur usme
istemaal hone wali shakti me zara si bhi girawat nahi aayi thi aur jab mujhe laga ki ab
hume rukna chahiye toh maine apni raftar ko 100 guna tak badhate hue ek hi jhatke me
un charon ke kalayi ko pakad kar jhatak diya paanchon peeche ki taraf gir gaye

Main:- bohat ache doston tum sab wakayi bohat acche yodha ban chuke ho par meri baat
ko sunkar bhi paanchon ke chehre utre hue hi the aur wo issliye kyu ki unhe lag raha tha
ki wo apni chunouti par khare nahi utar paye the

Main:- dosto tum sab apne test me paas ho gaye meri baat sunkar paanchon ek jhatke
me khade ho gaye

Sab:- kya

Shaila:- par kaise? humne toh ek bhi waar thek se nahi kiya?

Main:- kisne kaha? maine kaha tha ki tum sab ko mujhpar safalta purvak ek hamla karna
hai maine tum sab ko mujhe ghayal karne ke liye nahi kaha tha tum sab ki speed itni zyada
hai ki shayad hi koi yodha tumhare waaron ko rok paye aur mujhe yahi dekhna tha tum
sabki gati khaas karke Ronit aur Shaila tum dono ki gati bohat zyada nikhri hai meri baat
sunkar un sab ke murjhaaye chehre firse khil gaye

Shaila:- toh ab? Shaila ke sawal par sab meri taraf utsuk nazro se dekhne lage

Main:- ab waqt aa gaya hai apne purane doston se milne ka


Ronit:- dost kaun?

Main:- Madox aur Nishkalika

Planet: Earth Place: Menakshi Mansion

good evening aunty

Minu:- good evening bacchon shaam ka waqt hai aur Vikram ki mom ko ye good evening
ka gesture dene wale log hamare hero ke dost Ronit aur Anjali hain par unke saath saath
Avantika bhi hai kal ke test ke baad jab Vikram ne sabko ye bataya ki unke agle adventure
Gluto ki shuruat hone wali hai toh sabki excitment ka thekana nahi raha khass karke Ronit
aur Shaila ka kyu ki Gluto me hone wale adventure ka sabse zyada intezar in dono ko hi
tha Avantika ne jab ye kaha ki wo bhi Gluto jana chahti hai toh sab ne iske liye haan keh
diya bina ye dekhe ki Avantika ki baat sunkar Vikram ke chehre par halki udasi chaa gayi
thi ab aisa kyu? ye toh aapko aage pata chalega apne doston ke Avantika ko haan kehne
ke baad Vikram ne bhi kuch nahi bola Vikram ne Shaila Mokalsar aur Akshaant ko kuch
bataya jiske baad teeno world door se hote hue wapas chale gaye unke jane ke baad jab
Ronit ne Vikram se pucha ki wo sab kab Gluto jayenge toh Vikram ne unhe college ke baad
ghar aane ko kaha aur issliye ye teeno iss waqt Vikram ke ghar aaye hain

V/Mom:- arre bacchon aao aao abhi tak Minu ki nazar Avantika par nahi padi thi par jaise
hi Ronit aur Anjali thoda aage gaye toh usne Avantika ko jo dono ke peeche thi usse dekh
liya

V/Mom:- arre beta aap bhi aaye ho

Avantika:- jee aunty ye kehkar Avantika ne Vikram ke mom ke pair chu liye

V/Mom:- jeeti raho beti uss din ke baad se aaj dekh rahi hun tujhe beech beech me ghar
aayo kar

Ronit:- ye nahi aati issliye hi toh main baar baar aate rehta hun aunty iske hisse ke absent
ka kota pura karne ke liye

Anjali:- tu toh rehne hi de tera bas chale toh tu yahi shift ho jaye

Ronit:- bas chale matlab ye mera hi toh ghar hai wo toh Vj mera dost hai issliye uspe ek
ehsaan karke maine usse yaha rehne ki permission di hai Ronit ki baat sunkar sab hans
diye
V/Mom:- tum dono abhi bhi ladte ho? mujhe toh laga tha ki couple ban jane ke baad tum
dono ki tu tu main main khatam ho gayi hogi par dekh rahi hun ki aisa kuch hua nahi hai

Anjali:- aur hoga bhi nahi aunty couple toh hum abhi abhi bane hain par friends toh hum
bachpan se hain uska asar itni jaldi thodi naa jayega

V/Mom:- wo bhi hai

Ronit:- aunty bhook lagi hai Ronit ki baat sunkar firse sabko hasin aa gayi

Anjali:- tujhe Vj ke ghar aate hi bhook kaise lag jati hai?

Ronit:- aunty ke haathon me jaadu jo hai bas ussi jaadu ke asar me mera tummy hai jab
bhi aata hun bhook lag jati hai

V/Mom:- tum sab upar Vicky ke room me jaao main maggi bana kar laati hun

Avantika:- chaliye aunty main aapki help karti hun

V/Mom:- arre nahi nahi beta maggi banana koi tough kaam thodi na hai jsime help ki
zaroorat pade tum sab jaao main maggie bhijwaati hun ye bolkar Minu kitchen ki taraf
chal di aur ye teeno mere room ki taraf par jaise hi teeno mere room me pahunche
Avantika ko toh nahi par Ronit aur Anjali ko jhatka laga wo issliye ki iss waqt main peeth
ke bal leta ceiling ki taraf dekh raha tha teeno ke andar aane ke baad bhi main waise hi
raha jise dekhkar Ronit aur Anjali ko jhatka laga dono hi jante the ki mujhe pehle se sab
pata chal jata hai aur agar mere mann main koi baat bhi ho to bhi main usse achi tarah
chhupaane me maahir hun par iss waqt aisa kuch nahi hua tha dono jab mere thoda paas
aaye toh unhone mere chehre par chalakte maayusi ko dekh liya tha aur jise dekhkar dono
jaan gaye the ki koi bohat badi baat hai jo mujhe sataye jaa rahi hai

Anjali:- ahem ahem Anjali ki awaaz sunkar main jaise hosh me aaya aur apne saamne
teeno ko dekhkar maine apne expressions turant change kar liye par jise jo dekhna tha
wo toh wo dekh hi chuka tha

Anjali:- kin khayalon me khoye hue hai janab?

Main:- tere hi khayalon me soch raha tha ki tune toh isse haan kehkar mera dil tod diya
ab iss toote dil ko kisse judwaaun? jahan meri baat sunkar Avantika ko hasi aa gayi wahi
Anjali aur Ronit ka chehra aur gambhir ho gaya par wo Avantika ke saamne kuch show
nahi karna chahte the issliye meri baat ko Anjali ne aage badhaya

Anjali:- abhi bhi deri nahi hui hai tu bol toh abhi isse breakup karlun?
Ronit:- haan yaar isse mujhe bhi koi nayi gf mil jayegi dono ki baat sunkar iss baar Avantika
ke saath saath main bhi hans diya

Main:- rehne de bhai hum aise hi acche

Ronit:- jaise tu haan bolta toh hum alag ho jaate kyu? ye bolkar Ronit ne Anjali ko side se
hug kiya

Main:- ab tum dono ki jhappi ho gayi ho toh kuch kaam ki baat kar len

Ronit:- arre haan yaar jiske liye aaye the wahi point bhul gaye the chal bhai bata kab
nikalna hai? Ronit Anjali aur Avantika teeno mere aas paas couches me baith gaye par
main shaant hi raha aur isse pehle ki un teeno me se koi kuch kehta Martha aunty room
me enter huin unke haanthon me ek tray thi jisme maggie aur coffee ke 3 jugs the Anjali
aur Ronit Martha aunty ko dekhte hi samjh gaye the ki wo aane wali thi isililiye maine
kuch bolna shuru nahi kiya aur iss baat se wo ye bhi samjh gaye ki wo baat kitni serious
hogi jiske bare me sochne ki wajah se mujhe unke aane tak ka khayal nahi raha Martha
aunty ne maggie aur coffee serve ki aur chali gayi

Ronit:- haan toh kab nikalna hai

Main:- abhi meri baat sunkar teeno chonke

Anjali:- as in now itni jaldi?

Main:- Gluto me aaj fight comeptition rakhi gayi hai jisme Ronit aur Shaila participate
karege meri baat sunkar Ronit khush ho gaya

Avantika:- kya main kuch puchun?

Main:- haan pucho waise toh main janta tha ki wo kya puchna chahti hai par apne iss
purvabhas wale talent ko main uske saamne abhi show nahi karna chahta tha

Avantika:- ye sab kisliye? I mean iss competition se saabit kya hoga? aur kya ye galat nahi
hai?

Main:- kabhi kabhi sab thek karne ke liye khud bhi galat hona padta hai Avni ye sab kyu
ye tumhe waha chalkar pata chal jayega meri baat ka matlab Avantika ke samjh me toh
nahi aaya par fir bhi wo chup hi rahi uski ye chuppi isliye nahi thi kyu ki wo janti thi ki isse
zyada main usse kuch nahi bataunga balki issliye thi kyu ki wo ye baat janti thi ki main
kuch bhi galat nahi karunga aur uski iss chuppi ne mere dil par ek ehsaason ka samandar
paida kar diya tha main usse sab kuch batana chahta tha sab kuch wo saari baatein bhi
jise main khudse bhi karne se darta tha jo hone wala tha jis baat ki mujhe tension ho rahi
thi sab uski chuppi ki wajah se kuch palon ke liye gayab hi ho gaya aur reh gaya toh bas ek
unkaha ehsaas jise mere dil me ek mitha mitha dard bhi ho raha tha aur aur ussi dard se
mera dimag halka bhi ho raha tha par filhal inme se koi bhi cheez ho toh sakti nahi thi
issliye maine apne aap ko shaant kar liya

Anjali:- toh ab fir maine unhe bataya ki hume ab kya karna hai

Main:- chalen fir main apni baat khatam kar uth khada hua par Anjali aur Ronit abhi bhi
baithe hue hi the aur ek dusre ko dekh rahe the main janta tha ki wo dono mujhse kya
puchna chahte hain aur isse pehle ki main kuch kehta

Avantika:- guyss dad ka miss call hai main unse baat kar leti hun ye bolkar Avantika room
se bahar chali gayi par aisa karke wo fir bina kuch kahe mere dil me hulchal paida kar gayi
wo issliye kyu ki uske dad ka koi miss call nahi aaya tha ye sab usne bas issliye kiya tha kyu
ki wo samjh gayi thi ki mere dono doston ko akele me mujhse kuch baat karni hai

Ronit:- tujhe toh pata hi hai ki hum kya puchna chahte hain? iss waqt un dono ke dil me
meri bechaini ke raaz ko janane ki jo tez iccha thi main janta tha ki bina sach jane wo
maanenge nahi aur agar fir bhi maine unhe taala toh iska asar iss Gluto ke safar par zaroor
dikhega

Main:- tum nahi sun paaoge

Anjali:- maana ki tere jitne taakatwar nahi hain par itne kamzor bhi nahi hai ki apne dost
ki taklif naa baant saken maine ek lambi saans chhodi aur unhe apni bechaini ki wajah
bataayi jise sunkar dono ke aankhon me aansu aa gaye dono mujhse puchna chahte the
ki main kuch kar kyu nahi raha hun par mujhse pucchne se pehle hi dono ke dil ne unhe
jawab de diya ki main aisa nahi kar sakta tha dono ek saath mere gale lag gaye

Ronit:- hamari ek baat maanega

Main:- thek hai uske sawal puchne se pehle hi maine usse jawab de diya tha

Main:- chalo ab time ho gaya hai ye bolkar main room kholkar bahar nikal aaya aur mere
piche piche mere dono dost udaas se chehre liye bahar nikal gaye

Wahi bahar:

kya soch rahi ho Avni? Avantika piche palti toh dekha ki meri mom khadi hai
Avantika:- kuch nahi aunty bas aise hi iss waqt Avantika ussi fountain ke saamne khade
hokar usse nihar rahi thi jise mere dad ne apne haathon se mom ke liye banaya tha

V/Mom:- tum mujhe bata sakti ho

Avantika:- jab bhi isse dekhti hun toh aisa lagta hai jaise pure jahan ka pyar paani bankar
isse nikal raha hai auntyu have a very loving husband & I must sayu are very lucky Avantika
ki baat sunkar meri mom muskura di

Avantika:- aunty nana ji nani ji aaj ghar par nahi hain kya?

V/Mom:- nahi wo mere bhai ne naya hotel khola hai Delhi me sab ussi ke inaugaration me
gaye hain

Avantika:- aap nahi gayin?

V/Mom:- fir Vicky ka khayal kaun rakhta usne jane se mana kiya toh mujhe bhi rukna pada

Avantika:- aap Vj se bohat zyada pyar karti hain naa? Avantika ki baat sunkar meri mom
ke chehre par firse muskaan naacha gayi

V/Mom:- dil se puch rahi ho ki usse dhadakna aata hai ya nahi meri mom ki baat sunkar
Avantika ke saamne mera chehra naach gaya

Avantika:- wow aunty what a deep thought ab main samjhi ki Vj itni gehri baatein kaise
kar leta hai

Main:- Avnichalo chalen abhi dono me se koi kuch kehta usse pehle hi main aur mere
saath Anjali aur Ronit aa gaye

Avantika:- main toh tum teeno ka hi wait kar rahi thi

V/Mom:- kaha ki tayari hai?

Main:- bas yahi mom ghum kar aate hain

V/Mom:- ok beta aaram se jana maine mom ke forehead pe kiss kiya aur bahar nikal gaya
mere piche piche mere teeno dost bhi aa gaye teeno Avantika ki car se hi aaye the hum
sab ussi me baith kar nikal gaye maine ek sunsan jagah par car rukwai hum sab bahar aaye
aur agle hi pal hum sab ke saamne ek world door khul gaya tha ab Avantika ke liye bhi ye
sab normal ho gaya tha hum sab ek ek karke uss world door se hote hue dusri taraf
pahunch gaye jahan already Shaila Mokalsar aur Akshaant khade hue the training ke baad
maine teeno ko yahi par wait karne ke liye kaha tha Ronit Anjali aur Avantika un teeno se
mile Avantika ne idhar udhar dekha toh shocked reh gayi kyu ki main un sab ke beech se
gayab tha

Avantika:- ye Vj kaha gaya?

Ronit:- wo kahi aur gaya hai tension na lo sahi time me aa jayega ye kehkar Ronit ne world
door band kar diya world door ko band karne ke baad sabhi ek taraf nikal gaye wahi
hamare world door me ghuste hi Avantika ki car ke andar for log prakat hue ye charon aur
koi nahi hamare hi clones the steering wheel par mera clone tha usne gaadi ghumadi aur
sab nikal gaye

Planet: Gluto Place: Battle Field

waah jitna maine socha tha yaha ka mahoul toh usse bhi acha hai haan socha toh maine
bhi nahi tha yudh spradha issi naam ke bade bade banner har taraf lehra rahe the wo
maidan jisme ye competition hone wala tha wo darshakon se khacha kach bhara hua tha
Lord Crusedar king Solomon aur unki puri family iss waqt shahi aayojit khemo me baithe
hue the Madox aur Bhuvika dono hi iss waqt pratiyogion ke naamantaran wali jagah par
khade the

Madox:- ab ye dekhna hai ki jin yodhaon ke liye itni tayariyan hui hain unme kitna dum
hai

Nishkalika:- kuch der ruko sab pata chal jayega yudh ke bare me bhi aur hamare kushal
yodhaon ke bare me bhi Madox aur Bhuvika ne palat kar dekha unki taraf chalte hue
Nishkalika aa rahi thi usse aata dekh waha khade sabhi logon ke sar jhuk gaye the

Nishkalika:- iss baar kitne yodhaon ne bhaag liya hai?

Madox:- 98

Nishkalika:- bohat ache pichle saal ke mukalble lagbhag do guna

Madox:- pichle saal kitne pratiyogi the?

Nishkalika:- 50 aur iss baar 98 toh hua na lagbhag do guna

98 nahi 100 abhi Madox kuch kehta ki itne me ye awaaz saamne se aayi aur jab Madox
aur Nishkalika ne saamne dekha toh unhe ek jhatka laga

Dono:- tum Nishkalika aur Madox dono ke mouh se ye ek saath nikla dono shock me isliye
khade the kyu ki unke saamne aur koi nahi Ronit aur Anjali khade the
Nishkalika:- gudiya tum jaakar apne sthaan par baitho Bhuvika bina kuch kahe waha se
chali gayi

Nishkalika:- maanna padega bohat saahas hai tujhme

Shaila:- abhi sahas dekha kaha hai tu ne par fikr mat kar aaj ka din khatam hone se pehle
tu sab dekh legi

Madox:- tu abhi tak zinda hai mujhe laga tha ki pichli baar jo maine tera haal kiya tha tu
ussi haalat me nipat gaya hoga

Ronit:- kaam hun jo nipat jaaunga par tu bhi fikr mat kar aaj ka din khatam hone se pehle
tera kaam zaroor nipta dunga Ronit ki baat sunkar Madox ghusse se aage badha hi tha ki
Nishkalika ne usse rok diya

Nishkalika:- abhi nahi Madox ye yaha pratiyogi banke aaye hain aur hum pratiyogiyon par
waar nahi karte inhe iss yudh pratiyogita me bhaag lene do inka kaam toh hamare yodha
hi tamaam kar denge

Shaila:- arre haan yaad aaya mujhe bhi aur kisi se nahi bas tumhare grah ke yodhaon se
ladhna hai

Ronit:- mujhe bhi waise kitne namune participate I mean bhaag le rahe hain tumhare grah
se iss pratiyogita me

Madox:- 22

Shaila:- toh thek hai fir hum tumhare 22 yodhaon se ek saath ladenge Shaila ne apni baat
kehkar ek baar Ronit ki taraf dekha kyu ki usne Ronit ke behalf me bhi khud hi faisla le liya
tha

Ronit:- done fir jaisa Shaila ne bola thek waisa hi hoga bhejo apne 22 chu *** I mean
yodhaon ko maidan me ek saath Ronit aur Shaila dono ki baat sunkar Madox aur
Nishkalika hans diye

Nishkalika:- atti aatm vishwas bhi thek nahi hota khair ab tumne faisla kar hi liya hai toh
fir hum kya kar sakte hain par ek kaam karte hain tum dono ek saath pehle hamare 20
yodhaon se lado agar tum unse paar paye toh fir tum hamare aakhri do yodhaon se lad
lena thek hai

Shaila/Ronit:- thek hai


Madox:- jaao fir apni aakhri tayarian kar lo jab sahi waqt aayega toh tumhe bata diya
jayega Ronit aur Shaila waha se apne yodhaon ke kheme ki taraf chale gaye jahan unke
baaki ke dost pehle se moujud the

Place: Infront of the Cave

sampurn maaya bhangam complete magic break boom kaal raksha pratibhav devil saviour
detach boom sampoorn khaja yandhuteh complete resist breaker boom swaha shaktiyem
pratighat self power attack boom boom aur iske baad bhi maine naa jane kitne hi mantra
bole par St Cecilia ke dwara banaye gaye shield ke upar jo shield Asmodeus ne lagayi thi
uspe mere kisi bhi spell se koi fark nahi pada spells bolne se pehle maine ek kawach mere
charo taraf laga diya tha taaki mere spells se nikli urja se kisi ko bhi nuksaan na ho warna
jitne ghaatak spells maine bole the uske prabhav se toh pura Gluto grah hi khatam ho jata
par mere banaye shield ki wajah se aisa hua nahi aur naa hi koi awaaz bahar jaa rahi thi
par mere har spell ke baad jo dhamake ho rahe the unki urja wahi uss shield ke andar hi
ek jagah par ikattha ho rahi thi par mujhe iski parwah nahi thi abhi main ek aur spell bolne
hi jaa raha tha ki shaant ho jayiye Lord of Angels warna aapke hi spells se jo urja ikattha
ho rahi hai wo aapke sheild ko todte hue pure grah ko barbaad kar degi maine palat kar
dekha mujhse thodi hi door mere shield ke daayre ke just bahar hawa me St Sebastian
haath jode khade the maine haath aage kiye agle hi pal mere dwara faili hui shield hat
gayi wahi unki kahi baat ko sunte hi maine apne saamne dekha jahan mere spells se
ikkatha hui urja chamak rahi thi agar maine aur ek do spells bol diye hote toh wo urja
apne aap ko sambhal nahi paati aur fat jati jise iss grah ka samouh naash ho jata

St Sebastian:- aur koi upay nahi hai Lord aapko ye karna hi hoga maine St Sebastian ko
ghoor kar dekha unhone turant sar jhuka liya main aakhen band kuch soch hi raha tha ki

beta jab mujhe koi aapatti nahi hai toh tum kyu itne pareshan ho rahe ho iss awaaz ko
sunte hi maine jhat se aakhen khol di mere saamne St Sebastian ke saath koi tha koi aisa
jisko bachane ke liye hi main ye saare spells bol raha tha

Unknown:- niyati se koi nahi bhaag sakta beta aur yakin maano tumhare kaam aakar main
na sirf mera farz pura hoga balki mere dil ko thandak bhi milegi unki baaton se mere andar
kuch tuttha hua sa mehsoos hua kyu ki main jaan gaya tha ki main jis cheez ko hone dene
se dar raha tha rok raha tha wo ho kar hi rahega

Main:- main kaise aapko khudkushi karne ke liye haan keh dun maine aapko apni choti
maa ka darja diya hai Bhagwati maa ji haan ye jo saamne khadi thi ye aur koi nahi Bhagwati
maa thi Pujari ji ki biwi wahi Pujari ji jinho ne mera raasta aasan banane ke liye Dhawali
jheel ko kaali shaktiyon se door rakhne ke liye apna balidan diya tha aur aaj itihaas apne
aap ko ek baar firse dohraane wala tha aaj Pujari ji ki hi tarah mera raasta aasaan karne
ke liye unki biwi Bhagwati maa apna balidaan dene wali thi dosto yahi tha wo sapne ka
bhaag jise dekhne ke baad main kafi tensed ho gaya tha aur mere mood ko thek karne ke
liye mere dad ko mujhe samjhana pada tha ab aap sab soch rahe honge ki Bhagwati maa
ko balidaan kyu dena pad raha hai? kyu ki jaisa ki maine bataya tha ki Pujari ji aur unke
vanshaj ka janm hi issliye hua hai ki wo apna balidan dekar spear aur uski taakat ko uske
malik ke paas pahuncha saken kaali shaktiyon ko apne mantron se baandh kar spear ko
mujhtak pahunchane ke liye ek balidan Pujari ji ne diya tha aur aaj bhi main jis taakat ko
paane ke liye yaha aaya hua hun wo bhi spear ki hi taakat hai aur uske aage bhi spear ki
hi tarah dark magic kiya hua hai jise sirf Pujari ji ka jeeven saathi hi kaat sakta hai aur
issliye iss shield ko aur koi nahi Bhagwati maa hi tod sakti hain

Bhagwati maa:- aapne mujhe maa ka darja diya mere liye isse badi baat aur kuch nahi ho
sakti par kripya mujhe mere kartavya ko pura karne se naa roken meri shayadi ke din se
hi main iss kartavya se bandh chuki hun yaha main samjh gaya tha ki iss waqt ko aur isme
hone wale kriya ko taala nahi jaa sakta aur agle hi pal mere thek daayen baayen do log
prakat hue jinke haath Bhagwati maa ke saamne jude hue the ye do aur koi nahi mere
dono dost Ronit aur Anjali the ghar par Ronit ne hamari ek baat maan gaye issiliye hi kaha
tha Ronit aur Anjali mere saath saath Bhagwati maa ko unke balidan ke liye ek baar naman
karna chahte the hum teeno ne hi unke aage ek baar jhukkar apna maatha tek diya
Bhagwati maa ne ek baar muskurakar hamari taraf dekha aur mujhse apne aakhri shabd
kahe

Bhagwati:- mere baad meri Aashi ka khayal rakhna ye kehkar wo turant palti aur aage
badh gayi aur jaise hi unka sharir uss adrishya shield se takraya boomm aur sab kuch
khatam ho gaya uss adrishya sheild se takrate hi Bhagwati maa ka sharir katta chala gaya
unke khoon ke cheeton ko zamin bhi nasib nahi ho payi unke sharir ka saara khun uss
shield par pada aur usse sokhne laga jise wo shield ek dhamake ke saath blast ho gaya
jahan mere dono doston ke aankhon me aansu the wahi meri aankhen pathra gayi thi koi
bhaav nahi tha unme sunya ko ghurte hue mujhe apni puri zindagi arthhin lag rahi thi kuch
der tak main issi haalat me raha aur fir khada ho gaya mere saath saath mere dono dost
bhi khade ho gaye aur isse pehle ki wo kuch kehte wo gaayab ho chuke the ya yun kahu
ki maine unhe wapas bhej diya tha kyu ki iss waqt main kisise bhi baat nahi karna chahta
tha wahi mere doston ke gayab hote hi St Sebastian bhi gayab ho gaye abhi sirf Asmodeus
dwara bichayi gayi shield khatam hui thi St Cecilia dwara bichayi gayi God's barrier shield
ab bhi waha moujud thi par usse hatana mere liye koi badi baat nahi thi kyu ki wo barrier
sirf mujhse hi khul sakti thi maine ek baar saamne uss adrishya barrier ki taraf ghur kar
dekha aur agle hi pal wo barrier gayab ho gayi mujhe turant andar chale jana chahiye tha
par main kuch der tak ruka raha main chahta tha ki kisi bhi tarah ek baar Asmodeus mere
saamne aa jaye par main ye bhi janta tha ki ye hoga nahi Asmodeus ke shield bhale hi tod
di gayi thi par aaj ek baar firse Asmodeus mujhse haar kar bhi jeet gaya tha wo mujhe
andar se ek aur baar todne me kaamiyab hua tha aaj mujhe apne lord of angels hone ki
khushi nahi gum ho raha tha par in sab ke beech ek aur baat hui thi jaise hi dono shieds
hati mere andar moujud spear ne mujhe andar se dhakka dena shuru kar diya tha uski
baaki ki shakti jo andar thi maine ek lambi saans chhodi aur gufa ke andar jane ke liye
apne kadam badha liye

Wahi dusri taraf:

arre yaar ye Ronit kaha gaya? hamara bulawa kabhi bhi aa sakta hai

Mokalsar:- abhi thodi der pehle toh yahi tha waise Anjali bhi nahi dikh rahi hai lagta hai
dono kahi ghum rahe honge dekh kar aata hun

Ronit:- uski zaroorat nahi hai hum aa gaye Ronit aur Anjali dono ke aankhen ab bhi laal
the par wo apne aap ko control me kiye hue the

Shaila:- ye lo Ronit tayar ho jaao aaj hume Nishkalika ke saare ghamand ko todna hai aur
usse aisi mout deni hai ki uski rooh tak tadap jaye Shaila ne Ronit ko fight guards dete hue
kaha Ronit aur Anjali toh apne hi gum me doobe hue the issliye unhone zyada dhayan
nahi diya par ye saari baatein bolte waqt Shaila ki aankhon me jo nafrat panap rahi thi
usse Avantika ne dekh liya tha Ronit aur Anjali ne Avantika ko bata diya tha ki Shaila ko
Nishkalika ne yudh me harane ke baad kafi zalil kiya tha issliye Shaila usse apne apman ka
badla lena chahti hai par iss waqt jo bhaav Shaila ke aankhon me the usse dekhkar
Avantika ye samjh gayi thi ki asal baat kuch aur hai

Avantika:- ek baat puchun Shaila?

Shaila:- hmm pucho?

Avantika:- itni nafrat sirf ek haar ya apmaan ki wajah se toh ho nahi sakti baat kuch aur
hai haina? jahan Avantika ki baat sunkar Ronit aur Anjali ek jhatke me apni soch se bahar
aaye wahi Shaila ke aankhon me aansu aa gaye jise dekhkar Avantika jhat se uske paas
gayi aur usse gale se laga liya
Avantika:- agar maine kuch galat keh diya hai toh please mujhe maaf kar do aur agar baat
itni hi gehri hai toh mujhe nahi janana Shaila kuch der tak aankhon me aansu bhare khadi
rahi phir usne ek baar Akshaant ki taraf dekha jisne usse aankhon se hi sach batane ka
ishara kiya

Shaila:- Nishkalika ne mere maa aur pita ji ki hatya ki hai itni badi baat aur tumne hume
bataya tak nahi kya hum tumhare dukh baatne ke layak nahi hain? jaise hi Shaila ne bataya
ki uske maata pita ki hatya Nishkalika ne ki hai toh Ronit Anjali aur Avantika teeno jaise
kisi sadme me chale gaye the par kuch der baad jab teeno normal hue toh Ronit ne Shaila
se itni badi baat ko chupaane ke liye shikayat ki

Shaila:- tumhe khud pata hai Ronit ki maine tum teeno ko dil se apna dost maana hai aur
tumhe ye baat nahi batane ke liye mujhe Vj ne kaha tha mera naam sunkar teeno ko ek
baar aur jhatka laga khaas kar ke Anjali aur Ronit ko

Anjali:- par kyu?

Ronit:- aane do saale ko batata hun saari achi cheezen ache pal hamare hisse me daalkar
hamesha dard wale raaste par khud nikal padta hai

Shaila:- issliye hi Vj ne mujhe tum dono ko kuch bhi batane se roka tha wo janta tha ki ye
sachayi sunkar tum sab apne aap se niyatran kho baithoge jo tumhare prashikshan ke liye
thek nahi hoga par ab kyu ki tum dono ka prashikshan khatam ho gaya hai issliye maine
bata diya Shaila ki baat dono ko sahi lagi wahi Avantika ke mann main Vj naam ki gutthi
aur ulajhti jaa rahi thi jab bhi usse lagta tha ki wo Vj ko janane lag gayi hai uska ek naya
roop usse dekhne ya uske bare me sunane ko milta tha jawani ki dehliz me abhi abhi
kadam rakhne wale ek noujawan ke andar itni door darshita hona uske liye ek bohat bada
surprise tha Avantika najane aur kya kya sochti rehti par tabhi Anjali ki awaaz sunkar wo
hosh me aayi

Anjali:- par ab toh tum hume bata sakti ho naa ki ye sab kaise hua? Anjali ki baat sunkar
Shaila kuch der tak shunya me ghurti rahi jaise wapas khud ko uss dil chherne wale waqt
me le jaa rahi ho fir uske lab hile aur usne bolna shuru kiya

Shaila:- Gluto ka niyam hai ki jo bhi vaarshik yudh spraddha ko jeetta hai usse usse pichle
saal ke vijeta se ladhna hota hai aur jo uss yudh ko jeet jata hai wahi yaha ka naya
shaashankaar banta hai Nishkalika se pehle mere pitah aur maa iss grah ke Raja aur Rani
the Shaila ki baat sunkar ek baar firse Ronit Anjali aur Avantika ko shock laga
Shaila:- issi spraddha ke douran hi meri maa aur pita ji ki pehli mulakat hui thi dono hi iss
spraddha ke antim do pratiyogi the par dono ke beech hue yudh ka koi natija nahi nikla
dono me ek si taakat thi issi wajah se dono ko hi uss varsh ka vijeta ghoshit kar diya gaya
fir wo dono pichle saal ke vijeta se ladhkar jeet gaye aur issi tarah dono ko hi yaha ka raaja
aur raani ghoshit kar diya gaya apne shaashan kaal ke douran hi un dono me prem hua
aur dono ne vivah kar liya main 10 varsh ki thi jab Nishkalika ne iss vaarshik yudh utsav
me bhaag liya tha wo bohat achi yodha thi par uske andar se kaali shaktiyon ki urja saaf
dikhti thi sabko harakar usne mere maata aur pita ji ko chunoti di par parinaam kuch bhi
nahi nikla naa hi wo mere pita ji ko hara payi aur naahi meri maa ko aur mere maata pita
bhi usse harane me naakamiyab rahe tab Nishkalika ne kaha ki mere maata pitah ki hi
tarah usse bhi ek shaashankarta ke roop me swikar kar liya jaye par iske liye mere maata
pitah raazi nahi the aisa nahi tha ki mere maata pitah ke mann main satta ka koi moh tha
par wo jante the ki Nishkalika ek achi shaashankarta nahi ban sakti par kyu ki Nishkalika
ko dono hi nahi hara paye the issliye wo usse sidhe taur par mana bhi nahi kar sakte the
issliye mere pitah ne Nishkalika se kaha ki ye faisla Gluto ki janta karegi agar unhone
Nishkalika ko rani maan liya toh unhe koi aapatti nahi hai agle din iss baat ka faisla hona
tha par Nishkalika jaatni thi ki yaha ki janta usse apni rani ke roop me kabhi swikar nahi
karegi issliye usne raat ko hi mere maata pita ki unke sote waqt hatya kar di main uss waqt
mere maata pitah ke paas hi soyi thi usne mujhe nahi maara bas mere paas aakar mujhse
itna boli ki Nishkalika ko jo bhi cahaiye hota hai usse wo kisi bhi haalat me paa kar rehti
hai main raat bhar roti rahi subah ye baat har taraf faile gayi ki Gluto ke maharaj aur raani
ki kisine hatya kar di hai aur niyam ke anusar iss saal ki vijeta Nishkalika ko mere maata
pitah ki jagah rani bana diya gaya Nishkalika ne mujhe dhakke maarkar mahal se nikalwa
diya ek saal tak main yaha ke sadkon par sote hue rote hue jeeti rahi par agle saal aayojit
hue pratiyogita me mere grah se Akshaant ke pitah yaha aaye aur unki nazar mujhpar
padh gayi wo mere pitah ke bohat acche dost the meri haalat dekhkar unhe bohat bura
laga maine unhe yaha jo kuch bhi hua uske bare me bata diya wo krodh me aakar
Nishkalika ke saamne pahunch gaye par Nishkalika ki taaqat unse kahi adhik thi usne unhe
bohat maara aur unhe adhmara kar ke raaste me fek diya kuch samay baad jab unko hosh
aaya toh hum dono jaise taise karke apne grah me wapas chale gaye unhone mujhe apni
beti bana liya main Akshaant aur Mokalsar teeno unse lagatar prashikshan lete rahe aur
fir baad me alag alag jagah jaakar kuch na kuch naya sikhte rahe jab mujhe laga ki main
ab kafi kuch sikh gayi hun tab yaha waapas aayi aur spraddha jitkar maine Nishkalika ko
chunouti di par main ye nahi janti thi ki usne bhi tab tak kafi saari kaali shaktiyan haasil
kar li thi usne mujhe kafi aasani se hara diya aur fir mera sabke saamne makhoul bhi udaya
bas tabhi se main aur kathin parishram kar rahi thi aur intezar kar rahi thi sahi samaya
aane ka aur dekho aaj aakhir me wo sahi samay aa hi gaya Shaila ki baat sunkar sabhi ki
aankhon me ek baar firse aansu aa gaye the sabhi ne usse baari baari se hug kiya

Ronit:- bilkul waqt aa gaya hai aur ab toh uski aur uske uss chutiye saathi Madox ki aisi
haalat kare ge ki mout unhe zindagi se aasan lagegi kabhi uss Madox ne bhi apni kaali
shaktiyon ke dum me mujhe bohat maara tha Vj ne mujhe promise kiya tha ki ek din main
usse aur uski un kaali shaktiyon ki aisi ki taisi karunga aur aaj wo din aa hi gaya abhi koi
kuch kehta itne me Gluto ka ek sainik unke kheme me aaya

Sainik:- agli baari tum dono ki hai tayar ho jaao

Ronit:- beta hum toh tayar hi hain aur agli baari hamari nahi teri wo rani Nishkalika aur
uska naya ch***ye saathi Madox ki hai Ronit ki baat sunkar sabhi hans diye uss sainik ne
sabko ghur kar dekha par wo pratiyogiyon ke saath badsalooki nahi kar sakta tha issliye
apni baat khatam kar chup chaap nikal gaya

Shaila:- chalen fir

Ronit:- chalo aur issi ke saath sabhi ek ke baad ek karke battle field ki taraf nikal gaye

Place: Infront of Cave

Main:- meri hi shaktiyon ko waapas paane ke liye liye mere hi apno ko kurbaani deni padti
hai ye bolte waqt mere chehre par ek dard bhari muskaan aa gayi maine apne kadam
andar ki taraf badha diye par jaise hi main uss gufa ke andar pahuncha jitne bhi diamonds
numa shaktiyan waha hawa me ghum rahi thi unka prakash aur tej ho gaya main un saare
diamonds ko dhayan se dekhne laga shaktiyon ki urja se jo tez roshni un diamonds ke
andar se nikal rahi thi unse meri aankhon ko bohat thandak mil rahi thi wahi mere seene
me ho rahe vibrations aur tez ho gaye the apni baaki ki shakti ko apne saamne dekhkar
mera spear mere andar machal raha tha par kyu ki maine abhi tak usse bahar aane ki
permission nahi di thi issliye wo mere andar hi ghume jaa raha tha maine apne seene ke
upar haath fera aur kaha

Main:- chalo kamse kam tujhe toh koi apna wapas milne wala hai chal bahar aaja mere
kehne bas ki hi deri thi agle hi pal ek saath do cheezen hui

1st:- mere seene ke beech ek tez ujala hua aur ussi prakash ke beech me se mera spear
bahar nikla
2nd:- jo tez ujala mere spear ki wajah se hua tha wo pure gufa me fail gaya aur jaise hi uss
prakash ne un diamonds ko chhua wo saare diamonds gol gol ghumte hue ek dusre ke
paas aane lage par ye kya? jaise hi saare diamonds ne ek dusre ko chua toh ek dusre se
takrakar bikharne ki jagah saare diamonds ek diamond ke andar samaane lage aur dekhte
hi dekhte saare diamonds ne ek diamond ki shakl le li uss diamond se har second alag alag
roshni nikal rahi thi ki tabhi mere spear ki nok se ek patli si ray nikli aur jaakar uss diamond
par padi ray ke uss diamond par padhte hi wo diamond kheenchta hua mere spear ke
paas aane laga par tabhi kuch aisa hua jise mujhe ek jhatka laga diamond spear ke paas
aakar bhi uske andar nahi samaaya balki uski nok se takrakar wapas piche chala gaya fir
agle hi pal wo diamond doabara spear ke paas gaya par fir wahi hua uski nok se takrakar
diamond dobara piche hat gaya aur fir yahi ghatna kram lagatar hone laga par ab sirf yahi
nahi ho raha tha diamond aur spear ke takrane ki wajah se uss gufa me halki halki kampan
honi shuru ho gayi thi maine turant apne haath ko har taraf ghuma diya aur mere aisa
karte hi kampan ruk gayi maine apne aas paas ke sab jagah ko baandh diya tha ek mushkil
toh aasani se khatam ho gayi thi par iss mushkil ke paida hone ki wajah abhi bhi kaayam
thi spear aur diamond ek dusre se takrakar peeche hat jaa rahe the spear toh mere andar
thi issliye usme toh koi problem nahi ho sakti issliye main samjh gaya ki jo bhi pareshani
hai wo diamond me hi hai maine diamond ki taraf apni ek ungli dikhayi aur usse apne paas
aane ka ishara kiya mere ishara karte hi diamond mere saamne aakar ruk gayi maine ek
haath uss diamond ke upar ghumaya aur pratya bhijana detect mere mantra ke uccharit
karte hi mere haathon se ek ray ki chaadar si nikli aur uss chaadar ne pure diamond ko
apne andar lapet liya aur iske baad jo hua usse dekhkar meri aankhon ki putliyan badi ho
gayin mere mantra ne uss diamond ki asli pareshani dhund li thi ab jo diamond mere
saamne tha uski chamak kam ho gayi thi mere mantra ke prabhav ki wajah se uski asli
problem kaali shakti jo ki uske andar samayi hui thi wo uske chamak ko dhakkar dikhne
lagi ye wahi kaali shakti hai jo uss diamond ko Digvijay aur Nishkalika ki shakti ko sokhne
ki wajah se mili thi jiski wajah se wo dushit ho gayi thi par jab maine uss kaali shakti ke
shroth ko pata lagane ki koshish ki toh main asafal raha un kaali shaktiyon ki wajah se ab
tak uss diamond ne mujhe nahi apnaya tha jiski wajah se main uske raaz ko nahi jaan paa
raha tha

Main:- (mann main) arre yaar ek problem khatam hoti nahi ki dusri aa jati hai khair pehle
isko shudh kar deta hun phir toh apne aap hi sab kuch pata chal hi jayega jo ray maine
diamond ke andar uski problem ko detect karne ke liye chhodi thi maine usse ek baar firse
yaad kiya mere aisa karte hi uss ray ne wapas ek chadar ka roop liya aur diamond ke bahar
aa gayi par iss baar wo akeli nahi thi balki uske saath diamond ke andar moujud black
energy ke power ki copy bhi thi maine uss black energy ke copy ko chua aur visagana
antidote aur iss mantra ke uccharit hote hi jo jawab mere aankhon ke saamne aaya usse
dekhkar main thoda shocked bhi hua aur khush bhi

Main:- waah aaj mera dard hi meri dawa ban gayi aur agle hi pal main spear aur diamond
uss gufa se gaayab ho chuke the

Planet: Earth Place: ******

Main:- kisse pata tha ki aaj wapas waha aana padega jahan se iss safar ki shuruat hui thi
Dhawali jheel kya sanyog hai ek baar mere spear ne tujhe dushit kar diya tha aur aaj tu
ussi spear ke dusre bhaag ko swach karegi ji haan wo Dhawali jheel hi hai jo mere spear
ki baaki ki shakti matlab diamond ko punah swach kar sakti hai aur iska kaaran hai mere
Lord of Angel banne ke baad nikle hue pehle aansu jo ki aur kahi nahi Dhawali jheel me hi
gire the aur issi wajah se Dhawali jheel ke paani me dubki lagane se log rog mukt ho rahe
the mere Lord of Angels banne ke baad girne wale aansu me bohat zyada maatra me
white energy moujud thi jo ki Dhawali jheel ke paani me girne ki wajah se ek kism ki
antidot ban gayi thi aur aaj issi antidot se mere raaste ka ek roda khatam hone wala tha

Main:- shayad issliye hi holy spirits ne apni pari krama ke liye tujhe chuna tha teri
swachhata bade se bade kaali shakti ko bhi dhokar saaf karne ke kabil hai Dhawali jheel
ko wapas dekhkar sirf main hi khush nahi hua tha balki wo diamond jisme kaali shakti ka
waas tha wo bhi gol gol ghumne laga tha jiska matlab tha ki usse bhi yaha aane ki khushi
thi iss waqt raat ka teesra pahar chal raha tha issliye har taraf ghanghor andhera tha aur
aage jo hone wala tha uske liye ye time ek dum perfect tha maine apna haath aage kar
diamond ko aage jane ki anumati di diamond issi ke intezar me thi mere ishara karte hi
wo Dhawali jheel ke centre ki taraf ud padi aur uske peeche peeche mera spear bhi udte
hue jane laga centre issliye doston kyu ki ussi jagah par mere aansu gire the aur issi wjah
se sabse zyada urja wahi thi diamond aur spear udte hue Dhawali jheel ke beech me
pahunche aur ruk gaye beech me pahunchkar spear toh wahi hawa me hi ruki rahi par
diamond apni jagah par gol ghumte ghumte niche jane laga aur kuch hi palon me wo
diamond paani ke andar tha wahi maine apna haath ek baar sab taraf ghuma diya ab
Dhawali jheel ke charon taraf ek sight shield ban gayi thi ye karne ke peeche ek kaaran
hai jo aapko kuch hi der me pata chal jayega tabhi diamond ke paani ke andar jane ke
kuch hi palon ke baad pure jheel me hulchal shuru ho gayi jheel ka saara paani apne aap
ko sokhte hue neeche jane laga aur kuch palon me hi paani se bhara Dhawali jheel puri
tarah sukh chuka tha yaha tak ki satah ki mitti bhi kadak ho gayi thi Dhawali jheel ke theek
beech me mere spear ka diamond tez chamak raha tha iss waqt uss diamond ki chamak
itni tez thi ki iss andheri raat me bhi mere charon taraf din sa ujala ho gaya tha aur issliye
hi maine sight shield lagayi thi jiski wajah se ye tez roshni mere shield ke daayre me hi
simat kar reh gayi thi wahi wo diamond ab dheere dheere hawa me uthatha hua spear ki
taraf jane laga par iss baar jaise hi spear aur diamond ne ek dusre ko chua jo tez roshni
har taraf faile hui thi wo aur tez ho gayi aur ussi chamakte mahoul ke beech mera spear
mere taraf aane laga aur theek mere saamne aakar ruk gaya ab tak spear ne diamond ki
jo ki ussi ki shakti thi usse puri tarah se observe kar liya tha issliye spear ki chamak ab kam
ho chuki thi wahi main apne spear ko dhayan se dekhne laga spear ke handle me hi wo
diamond halka sa ubhar kar fit ho gaya tha jise spear ki khubsoorti aur badh gayi thi maine
apna haath badhaya aur jaise hi maine apne spear ke handle ko pakda meri body ko ek
jhatka laga par maine handle chhoda nahi kuch der tak mujhe jhatke lagte rahe fir band
ho gaye par ab bhi meri body lagatar vibrate ho rahi thi mujhe aisa lag raha tha jaise meri
puri body bhaari ho gayi hai aur main kuch hi der me thak jaaunga par in sab negetives ke
beech ek positive chiz bhi hui aur wo ye ki spear ko chute hi mujhe usme lage diamonds
ke andar jo kuch der pehle tak black energy thi uske bare me sab kuch pata chal gaya tha
mere saath jo ho raha tha uske bare me main kuch pata lagaun usse pehle hi mere andar
se ek awaaz aayi jise sunkar mujhe pata chal gaya ki ye sab mere saath kyu ho raha hai

Main:- bahar aa jao mere itna bolte hi mere andar God's tear ki jo book thi wo bahar aa
gayi aur mere saamne hawa me hi ruk gayi book ke rukte hi wo open bhi ho gayi aur uske
open hote hi maine jis haath me spear ko pakda hua tha usse saamne kar diya spear mere
haathon se nikalkar wapas book me chali gayi spear ke apni jagah par wapas jaate hi book
band hokar wapas mere andar chali gayi ab main bilkul thek tha mujhe koi vibrations feel
nahi ho rahe the maine jo sight shield banayi thi maine usse hataya hi tha ki mere aankhon
ke saamne ek drishya naach gaya jise dekhkar mujhe ghussa toh bohat aaya par maine
kuch kiya nahi bas kaha

Main:- kisi se ye ummid karna ki wo tumhare saath acha kare sirf isliye kyu ki tum acche
ho ye thek waisa hi hai jaise ek sher se ye ummid karna ki wo tumhe naa khaaye kyu ki
tum shudh shakaha ari ho ye bolkar main gayaab ho gaya

Planet: Gluto Place: Battle field

khach khach

Shaila:- kya hua? ruk kyu gaye? aao Nishkalika ki taraf se ladhkar tum sab ne waise hi apni
mout khudhi chun li hai ab tum lado ya naa lado mout toh tumhe milegi hi jab Shaila aur
Ronit battle ground me pahunche toh unhone apne saamne 20 prati wandiyon ko khade
paya wahi wo 20 yodha apne saamne sirf do prati wandiyon ko dekhkar hasne lage yahi
haal ground ko ghere logon ka bhi tha sabhi Ronit aur Shaila par hans rahe the par ek
khema aisa tha jinke chehre par hasi nahi chinta ke bhaav the ye Lord Crusedar ka khema
tha wo Ronit aur Shaila ke liye chintit the par jaise hi yudh shuru hua Lord Crusedar king
Solomon unki patni aur putri Alesendra ke chehre ke bhaav badal gaye aur ab unke
chehron par vismay aur prassanata dikh rahi thi wahi jo saare log Shaila aur Ronit ke upar
hans rahe the unki nani mar gayi thi pure battle ground me sannata pasra hua tha kyu ki
yudh ke shuru hone ek ek second ke andar hi Shaila ne akele hi Nishkalika ke 5 yodhaon
ke gardan unke sar se alag kar di the Shaila ke dahad ke baad bache hue 15 yodha ek saath
aage badhe par tabhi Ronit ka jism Shaila ke upar se tairta hua aage badha Ronit ke haath
me ek talwar chamak rahi thi par agle hi pal uske haathon me do talwar ho gayi jise usne
itni tezi se ghumaya ki kisi ko kuch dikha hi nahi aur natija 15 me se 10 yodhaon ke sar
zamin par pade the Ronit ke dono talwaron se khun tapak raha tha Ronit ne Nishkalika
aur Madox ki taraf dekha aur apne talwar ko hawa me ghumaya talwar ke ghumte hi hawa
me do bade se akshar ban gaye ek akshar bada sa M tha jiska matlab Madox tha aur dusra
N tha jiska matlab Nishkalika tha dono aksharon ko banane ke agle hi pal Ronit ki talwar
ek baar aur ghumi aur dono aksharon ko beech se cheerti hui nikal gayi jahan ye sab
dekhkar Nishkalika aur Madox ko ghussa aa raha tha wahi unke baaju me baithi Bhuvika
ke dil me dar ne ghar kar liya tha usne Ronit aur Shaila ke hi aankhon me apni behan ke
liye apaar nafatrat dekhi thi par wo chup chaap baithi rahi

Shaila:- kya yaar maine toh 5 ko maara tha tumhe bhi utne hi maarne the naa

Ronit:- toh tum hissab barabar kar do naa par jaldi dekho baaki ke bache paanch bhaag
rahe hain Shaila ne jab saamne dekha toh usse hasi aa gayi kyu ki baaki ke bache paanch
wakayi me bhaag rahe the par isse pehle ki wo kuch karti achanak un paanchon ke upar
bijli giri aur wo sab raakh me badal gaye ye bijli Nishkalika ne chhodi thi

Nishkalika:- jo yudh se peeth dikha kar bhaage usse jeene ka koi hak nahi wahi Nishkalika
ki harkat ko dekhkar waha moujud sabhi log chonk gaye

Nishkalika:- 20 logon ko toh tum dono ne khatam kar diya ab waade ke mutabik tum dono
ko hamare aakhri do yodhaon se ladna hoga Nishkalika ke ye kehte hi maidan ke beech
me do bijiliyan kadki aur un bijliyon ke beech me se do yodha prakat hue jinhe dekhkar
Nishkalika ke honton par ek muskaan naach gayi jaisa ki maine bataya tha ki Nishkalika ki
sainya bal iss waqt bramhaand ki sabse shakti shaali sainya bal hai aur ye dono yodha ussi
sena ke do senapati hain log bhagwan ki ya fir shaitan ki puja karte hain tapasya karte
hain par in dono ne Nishkalika ki tapasaya kar usse khush kiya hai aur fal swaroop
Nishkalika ne inhe ek behtarin yodha ban jane ka vardaan diya hai dono yodhaon ne ek
baar Nishkalika ki taraf dekha aur uske aage haath jodkar naman kiya Nishkalika ne un
dono ke naman ka sar hila ke abhivaadan kiya aur yudh ko shuru karne ki ghoshna ki aur
agle hi pal un dono yodhaon ke sharir hawa me the dono ke hi ek haath me talwar aur
dusre me khadag tha Ronit aur Shaila dono hi tayar the dono ne ek pal ke liye apni aakhen
band karke bhagwan aur mujhe yaad kiya aur agle hi pal jab dono ki aanken khuli toh
dono ke hi aankhon me bohat zyada confidence the wahi unke saamne se udte hue aate
Nishkalika ke dono yodhaon ne apne dono haathon ko puri shakti se aage ki taraf
ghumaya aur tannn tannn ek saath do cheezen hui pehli ye ki Shaila aur Ronit ne apni
talwar aage kar di jise un do yodhan ke chalaye gaye talwar aur khadag takraaye aur ruk
gaye aur uske agle hi pal Shaila aur Ronit ke pair tezi se chale aur un dono yodhaon ke pet
par pade dono yodha udte hi piche ki taraf jaa gire jahan ye sab dekhkar mere doston aur
Lord Crusedar ke khemo me khushi ki leher doud gayi wahi Nishkalika aur Madox ki sulag
gayi wahi wo dono yodha girte hi turant uth gaye aur ek baar firse unhone saamne chalang
laga di par iss baar un dono ne ek saath do do hamle kiye hawa me uththe hi unke khadag
ke andar se hi bohat se khadag nikle aur mere dono doston ki taraf chal diye wo dono
yodha mere doston ka dhayan bhatkaana chahte the dono ki ye chaal thi ki yaha mere
dost unke chhode gaye astron se ladte rehte waha wo dono unke paas pahunchkar mere
doston par hamla kar dete par jo hua usse dekhkar Nishkalika aur waha moujud sabhi
shocked reh gaye mere dono dost un saare khadag jo ki un dono yodhaon ne chhode the
un saare khadag ke upar se chalte hue aage badhne lage shock sirf waha moujud
darshakon ko hi nahi laga tha balki un dono yodhaon ko bhi laga tha jinke ye astra the aur
isse pehle ki wo dono kuch karte mere dono doston ne un dono ke hi shashtron ko hawa
me hi ek ek waar karke gira diya par dono itne me hi nahi ruke dono ne hawa me hi un
dono yodhaon ki gardan pakad li aur unhe marodte hue zamin par girane lage dhamm
aahhh issi awaaz ke saath charon neeche gire par kyu ki mere dono dost un do yodhaon
ke upar the issliye unhe kuch bhi nahi hua par un dono yodhaon ke mouh se dard bhari
aah nikal gayi par Shaila aur Ronit itne me hi nahi ruke dono girte hi ek jhatke me khade
ho gaye wahi wo do yodha dheere dheere khade ho hi rahe the ki mere dono dost ulta
ghum gaye aur agle hi pal un dono ke pair kainchi ki shakl lekar un dono yodhaon ke
gardan me fase hue the dono unki gardan par apni taangon ko kaste hue do baar gol ghum
gaye aur teesre round me Shaila aur Ronit ne apni puri taakat apne pairon me daalte hue
dono yodhaon ko door fek diya dhaam dhaam aur aahhh ki awaaz ke baar aur nikli dono
yodha apne pet ke bal lete haaf rahe the dono me hi ab uthne ki shakti nahi bachi thi wahi
dusri taraf mere dono doston ke daA one ko dekhkar khush hote hue Lord Crusedar ke
kheme ke sabhi log khade hokar taali bajane lage mere baaki ke teen dost jo alag kheme
me the wo bhi iss housla afzayi me shaamil the aur unke peeche peeche hi battle field
waha moujud saare darshakon ke taaliyon ki gadgadahat se gunj gaya in sab ke beech
Alesendra jo bohat der se Ronit ko pehchanane ke koshish kar rahi thi achanak uski
aankhen chamak gayi

Alesendra:- ye dono Lord of Angels ke mitr hain Alesendra ki baat sunkar king Solomon
unki wife aur Lord Crusedar ko ek jhatka laga

Sab:- kya?

Alesendra:- haan jis jagah se main Vikram ko apne saath apne grah laayi thi waha ye ladka
(Ronit) bhi tha isse bachane ke liye hi Vikram ne apni shield isse de di thi aur agar ye ladki
uske saath lad rahi hai toh ye bhi zaroor unki dost hogi ye jaankar ki unke saamne Lord of
Angels ke mitr khade hain sabhi khush ho gaye

Lord Crusedar:- tabhi ye dono itne parakrami hain Lord of Angels ke naa sahikam se kam
unke mitron ke toh darshan hume ho gaye Alesendra ye ab sunkar muskura di kyu ki sirf
wahi janti thi ki kisi bhi waqt Vikram waha aajayega ek taraf apne yodhaon ki naakami aur
dusri taraf taaliyon ki gadgadahat itna kafi tha Nishkalika aur Madox ke khun ko jalane ke
liye par dono hi abhi sidhe tour par kuch nahi karna chahte the dono ne ek dusre ki
aankhon me dekha aur ek nayi chaal chali dono ke hi haathon se adrishya rays nikalkar
unke dono yodhaon ki taraf jane lagi aur achanak se taali ki gadgadahat band ho gayi
kaaran Nishkalika ke dono yodha ek jhatke me apne pairon par khade ho gaye the
Nishkalika aur Madox ne dono ke hi sharir me apni power thodi thodi maatra me daalni
shuru jo kar di thi iss baar un dono yodhaaon ki aankhen surkh laal ho chuki thi dono hi
apni jagah se uchle aur unka sharir itni tezi se aage badhe ki Ronit aur Shaila dono ko kuch
dikha hi nahi aur aahhh un dono yodhaon ne apne sar se Shaila aur Ronit ke sar par chot
karii ek dard bhari aahh ke saath dono hi peeche ki taraf gir gaye par agle hi pal dono
khade bhi ho gaye Shaila aur Ronit dono ke haath me talwar ab bhi thi wo doguni tezi se
aage badhe par iss baar wo dono yodha bhi tayar the un dono ne mere dono doston ke
har aakraman ka jawab bohat ache se diya aur bas itna hi nahi beech beech me wo Shaila
aur Ronit ko chot pahunchane me kaamiyab bhi ho rahe the iski wajah se mere dono
doston ka confidence bhi kam hota jaa raha tha jahan ye sab dekhkar mere baaki ke teeno
friends aur Lord Crusedar ke kheme ke logon ko bura lag raha tha wahi Madox aur
Nishkalika khush bhi the par saath hi saath unke chehre par chinta ki lakeeren bhi thi
chinta issliye kyu ki unke dono yodhaon me abhi unki shakti ka bhaag tha fir bhi Ronit aur
Shaila barabar ka naa sahi par kadi takkar toh de hi rahe the itni siddhiyan prapt karne ke
baad bhi aisa hone se dono ki tension thodi badh gayi thi wahi battle ground ka maahoul
kafi garm ho gaya tha charon ka yudh star apne pure shabab me dikh raha tha ki tabhi
aahhh un dono yodhaaon ne Shaila aur Ronit par ek saath do do hamle kiye pehle unhone
apni talwar un dono pe chalayi jise mere dono doston ne kushalta purvak rok diya par
agle hi pal dono yodhaon ne talwar ke handle ko chhod kar apne hatheli ki mutthi bana
Shaila aur Ronit ke pet par ek ek punch maara mere dono dost iske liye tayar nahi the
dono ek dard bhari awaaz ke saath piche palat gaye dard toh dono ko bohat hua par saath
saath unhe hairani bhi hui ki jahan wo dono itna yudh karne ke baad thak gaye the wahi
unke saamne khade yodha jinhe unhone pehle kafi chot pahunchayi thi wo abhi bhi fresh
dikh rahe the same doubt kheme me baithe mere baaki ke teeno doston ko bhi feel hui
Shaila aur Ronit ko isme kuch gadbad lagi apratyaksham drishti invisible view ye spell
Shaila ke saath saath Akshaant ne jo ki apne kheme me baitha tha dono ne saath me bola
tha aur spell bolte hi jo nazara mere saare doston ke saamne aaya usse unhe bohat ghussa
aaya kyu ki unki nazar ab uss ray ko dekh sakti thi jo Nishkalika aur Madox se hote hue un
dono yodhaon me sama rahi thi

Ronit:- yaar ye toh galat hai hume iske bare me yaha moujud saare logon ko batana
chahiye

Shaila:- bilkul aur yahi baat mere baaki ke teeno dost jo ki Shaila aur Ronit ke dimag se
jude hue the unhone bhi kahi par isse pehle ki unme se koi kuch kehta paanchon ke kaano
me meri awaaz gunj gayi ye wahi drishya tha jo mere aankhon ke saamne ghum gaya tha
aur ye wahi baatein thi jo maine Dhawali jheel ke paas khade khade boli thi aur jinhe
bolkar main gayab ho gaya tha jaise hi mere doston ke kaano me meri awaaz gunji unke
iraade badal gaye Ronit aur Shaila ne apni aakhen band ki aur apne saare shaktiyon ko
apne dimag ke saath jodne lage wahi mere teeno doston ne bhi ek dusre ka haath pakda
aur aankhen band kar apni saari shakti Shaila aur Ronit ke bodies me transfer karne lage
ek adrishya beam un teeno se hote hue mere dono doston ki body me pahunchi aur kyu
ki Shaila aur Ronit apni shaktiyon ko apne chit par laa rahe the issliye ye shakti bhi unke
mastishk ki taraf chal di wahi Shaila aur Ronit se kuch door khade dono yodhaon ne jab
dekha ki Shaila aur Ronit ki aankhen band hain toh wo dono unke gala kaatne ke niyat se
aage doude par isse pehle ki wo unke paas pahunch paate boommm aur issi awaaz ke
saath Nishkalika aur Madox ke sharir ko bhi ek zor ka jhatka laga par wo dono jaldi hi
sambhal gaye toh hua yun ki Shaila Ronit aur unke saath saath mere dono doston ki shakti
jo ki un dono ke mastishk ke beech ikattha ho rahi thi achanak uss jagah par tez roshni hui
aur wo roshni ek gaadhi white ray me badalkar saamne se aa rahe dono yodhaon ke sharir
ke beech lagi aur aisa hote hi ek tez dhamaka hua aur un dono yodhaon ke sharir fat gaye
wahi undon ke sharir se apni shaktiyon ko jodne ki wajah se Nishkalika aur Madox ko bhi
jhatke lage par diamond ki shakti ki wajah se Nishkalika ko aur white shakti jo apni maa ki
kurbani dekar Madox ko mili thi uski wajah se Madox ko sirf ek tez jhatka laga Lord
Crusedar ke kheme ke saath saath waha moujud sabhi logon ki aankhen iss ghatna se badi
ho gayin dhamake ka asar khatam hone ke baad Shaila aur Ronit dono ne apni aakhen
kholi aur iss waqt dono ki hi aankhen apne manzil Nishkalika aur Madox ko ghur rahe the

Ronit:- tumhari 22 ki ginti khatam ho gayi ab teri baari hai Madox

Shaila:- teri antim ghadi aa gayi hai Nishkalika bohat si shaktiyon ko gale lagaya hai naa
tune aaj apni mout ko bhi zara gale laga kar dekh Shaila aur Ronit ki baat sunkar Madox
aur Nishkalika ko ghussa aa gaya

Madox:- tu mujhe maarega bhale hi ab tujhme kafi taakat aa gayi hai par mere saamne
aaj bhi teri aukaad kisi kide makoude se zyada nahi hai aur theek kisi kide ki hi tarah aaj
main tujhe masal dunga

Nishkalika:- mujhe tu bas apne sapne me hi maar sakti hai Shaila teri umr se zyada
siddhiyan prapt ki hai maine mera tu kya koi bhi kuch nahi bigad sakta ahampadaartha
mulavargam atmakshati ego iss the foundation of self destruction ghamand hi khud ki
barbaadi ka neev hai abhi koi kuch kehta usse pehle hi har taraf ye aawaz gunj gayi jahan
ek taraf ye awaaz sunkar sabhi chonk gaye the wahi mere doston aur Alesendra ke chehre
par khushi naach gayi

Ronit:- aa gaya mera bhai

Alesendra:- Lord of Angels banane ke baad aaj pehli baar aapke darshan honge jahan meri
awaaz sunkar koi khush ho raha tha toh koi chakitwahi Avantika ki dil ki dhakdkan tez ho
gayi thi usne jo sawal mujhse apni aankhon se pucha tha usse lag raha tha jaise aaj uska
usse jawab mil jaaega kuch der laga par Nishkalika bhi samjh gayi ki ye awaaz kis ki hai?

Nishkalika:- iss baar bhi sirf apni awaaz sunane ka hi irada hai ya fir saamne bhi aaoge
Nishkalika ke itna bolte hi maidan ke beech me ek tez roshni chamki jiske fal swaroop uss
maidan ke aas paas moujud sabhi ke aankhen band ho gayi dheere dheere jab wo roshni
kam hui toh sabne apni aakhen kholi aur uss roshni wali jagah par ek ladke ko dekhkar
sabhi chonk gaye wahi Nishkalika ki nazre toh jaise mujhpar jam si gayi thi jis tarah wo
ektak Asmodeus ko ghur rahi thi waise hi iss waqt uski nigahen mera didaar kar rahi thi
par uske partner ka reaction kuch alag tha Nishkalika ke baaju me baithe Madox ki toh
mujhe dekhte hi satak gayi wo ghusse se mujhe ghur raha tha

Alesendra:- yahi hain Lord of Angels Alesendra ki baat sunkar uske baaju me khade uske
pita maa aur Lord Crusedar ko jaise ek jhatka laga

Sab:- sach Alesendra ne gardan haan me hila di jahan mujhe dekh koi shock me tha koi
khush ho raha tha wahi hamare Madox bhai sahab ki sulgi hui thi aur jaise hi usne madhur
vachan nikaalne ke apna mouh khola tabhi

Madox:- arre main yaha kaise aa gaya Madox ki awaaz aur baat sun Nishkalika jaise kisi
sammohon se bahar aayi aur jaise hi usne aas paas dekha wo bhi shock ho gayi kyu ki iss
waqt Madox aur wo apne kheme me nahi balki mujhse kuch door mere saamne khade
the

Main:- main neeche khada hun aur tum dono upar baithe ho ye toh galat hai naa meri
baat sunkar Nishkalika aur Madox ko ghussa aa gaya

Nishkalika:- kyu humse ulajh kar apne iss sundar roop ko kharab karna chahte ho?

Main:- roop toh tumhara bhi sundar hai Nishkalika par mann utna hi kuroop main tum
dono ke saamne issliye nahi aaya kyu ki tum dono mere doston se ladne jane wale the
balki issliye aaya hun kyu ki tum dono ka hi waqt aa chuka hai aur tum dono ne jo jo ghrinit
kaarya kiye hain uski wajah se tumhare sharir ke saath saath tum dono ki aatma ko bhi
khatam hona hoga meri baat sunkar Madox aur Nishkalika dono hasne lage

Madox:- mere bhai ko maarkar tu apne aap ko bohat bada top samjhne laga hai kyu? aaj
teri saari galat fehmi door kar dunga yaha hum baat kar rahe the waha Bhuvika ke dil me
kuch galat hone ki aashanka ne janm le liya tha issliye wo apni didi ka naam pukarkar
daudte hue apni behan ke paas aa rahi thi main janta tha ki wo maasum hai issliye maine
usse adrishya jaal me baandh diya ab wo hil bhi nahi paa rahi thi agar wo hamare paas
aati toh pakka usse anjane me hi sahichot zaroor lagti apni behan ko bandhte dekh
Nishkalika ko ghussa aa gaya aur usne mujhpe agni astra fenka aur aahhh wo astra aadhe
raaste se wapas ghum gaya aur wapas jaakar Nishkalika ko hi laga jiski wajah se uski aah
nikal gayi tabhi Madox ke sharir se kayi saare baan nikal kar meri taraf aane lage par main
bas apni jagah par khada raha woh saare baan mujhse takraye aur niche gir gaye ye
dekhkar Madox ke saath saath Nishkalika bhi chonk gayi dono bewakuf ye nahi jante the
ki wo jispe hamla kar rahe hain wo iss bramhaand ke faile saare white energies ka eklouta
waaris hai toh fir un dono ke andar moujud white energy apne asli malik ko chot kaise
pahuncha sakti thi khair dono the toh kutte hi hain aur kutte bhonkna toh chhod nahi
sakte dono ne ek saath apne haath jode aur vaayu bandhan air lock jalam bandhan water
lock dono ne in dono mantron ka uccharan kiya par uske baad jo hua usse dekhkar dono
ko bohat bada jhatka laga hua ye ki kuch bhi nahi hua nahi samjhe naa mera matlab hai
ki dono ke mantron ne kuch kaam hi nahi kiya naa toh paani bahar aaya aur naa hi hawa
chali apne mantro ko kaam naa karta dekh dono ne ek ke baad ek kayi saare spells bol
diye par natija wahi nikla dono ke ek bhi spells kaam nahi kiye aur ab dono aankh faade
meri taraf dekh rahe the

Main:- bohat guroor tha naa tum dono ko apni taakat par maine tum dono ki saari
shaktiyon ko baandh diya hai ab tum kisi bhi mantra ka istemal nahi kar paaoge meri baat
sunkar un dono ko ek aur jhatka laga par ab main un dono ke saath aur zyada time paas
nahi karna chahta tha

Main:- Ronit Shaila mere awaaz dete hi mere dono dost mere paas aa gaye

Main:- jao aur apna badla lelo par usse pehle maine apna haath aage ghumaya aur agle
hi pal hawa me hi talwar ke shape liye hue paani prakat hua

Main:- jante ho Madoxye ye kya hai? ye wahi holy water hai jise peene se acha tumhe
apni maa ko maarna aasan laga iss bramhaand ki sabse badi shakti maa ka aashirwaad
hota hai jise tumne thukrakar daivik aur asuri shaktiyon ko chuna jo ki tumhari kabhi bhi
nahi ho sakti hain tumhare faisle se jitna dard tumhari maa ko hua tha utna toh tumhe
main nahi de sakta par jis cheez ke dard se bachne ke liye tumne wo ghrunit kaam kiya
tha uss dard ko toh main tumhe dobara de hi sakta hun naa Nishkalika sirf apni hukumat
sthapit karne ke liye tumne ek beti se uske maa baap ko chin liya is jurm ke barabar ki
saza toh hai hi nahi par agar ussi beti ke haathon tumhara anth ho toh uske maa aur pitah
ki aatma ko shaanti zaroor mil jayegi jo holy water hawa me ruka hua tha usse maine
Ronit ki talwar ko odha diya ab Ronit ke talwar dwara kiye gaye har waar me uss holy
water ke kan moujud hone wale the Ronit aur Shaila talwar ko haathon me liye hue aage
badhe wahi Madox aur Nishkalika ke aankhon me dar ki rekhayen tairne lagi jise dekhkar
mere dono doston ki aankhon me khushi ki chamak aa gayi aur agle hi pal saayen saayen
aahhh nahi ahh teen baar Ronit ki talwar chali aur issike saath Madox ki kaanon ko faadne
wali awaaz har taraf gunj gayi uski aawaz me itna dard tha ki waha moujud sabhi
darshakon ke dil tak hil gaye the par Ronit ko Madox par bilkul bhi daya nahi aayi usne
lagatar Madox ke sharir ke har hisse par bohat se waar kiye aur har waar ke baad Madox
ki haalat aur bekar hoti chali gayi holy water ke prabhav se uske zakhm bhar jaa rahe the
par kyu ki uspe waar bhi holy water ke zariye hi kiya ja raha tha issliye har chot wali jagah
ka dard badhta hi jaa raha tha aahhh iss baar ye awaaz Madox ki nahi Nishkalika ke mouh
se nikli thi Shaila ne uske left haath ki choti ungli kaat di thi

Shaila:- kyu dard ho raha hai toh soch mere maa aur pita ji ko kitna dard hua hoga jab
tune unke seene me khanjar utar diya tha ye bolte waqt Shaila ka chehra ghusse se thar
thara utha aur aahh aahh Shaila ki talwar 3 baar chali aur issike saath Nishkalika ke
haathon ki teen ungliyan gaayab ho gayi apni behan ki haalat dekhkar Bhuvika jaise ek
sadme me chali gayi thi wo pathrayi aankhon se apni behan ka patan dekh rahi thi wahi
Ronit ne apni talwar uthayi hi thi ki Madox cheekh utha

Madox:- plz ruk jao main iss dard ko aur nahi jhel sakta ya toh mujhe maar do yaa toh
maaf kar do

Ronit:- tujh jaise paapi ko jisne apni maa ki hatya ki usse maaf kar den

Main:- theek hai par ek shart par? meri baat sunkar Ronit shocked ho gaya wahi Madox
ki aankhon me ek chamak aa gayi par meri aage ki baat sunkar wo chamak gaayab bhi ho
gayi

Main:- apni maa se keh ki teri jaan ko baksh diya jaye agar unhone haan kehdi toh main
tujhe jeevan daan de dunga

Madox:- par ye kaise possible hai mom toh par isse aage wo kuch bol nahi paya itna hi
nahi uski aankhen hairat se faile gayi thi aur ye sab issliye kyu ki just mere baaju me iss
waqt uski maa ki aatma khadi hui thi

Main:- kya aap chahti hain ki isse jeeven daan de diya jaye Madox ki maa ki aatma ne kuch
nahi kaha bas naa me apna sar hila diya

Main:- aap jaa sakti hain mere itna kehti hi wo gayab ho gayin wahi Madox aur uske saath
saath Nishkalika ki aakhen ab bhi hairat se khuli hui thi dono ye samjhne ki koshish kar
rahe the ki aakhir ye hain kaun jisne unki itni prabal shaktiyon ko bhi baandh diya aur yahi
nahi jo mare hue logon ko bhi bula sakta hai aur ye sawal sirf un dono ke mann main hi
nahi uth rahe the balki meri asliyat se waakif logon ko chhod waha moujud har shaksh ke
mann yahi sawal panap raha tha ab iss khel ka khatam karne ka samay aa gaya tha
Main:- Nishkalika Madox tum dono ke jeene ka samay samaapt hua marne se pehle koi
aakhri khwahish dono ko jaise aisa hi kisi baat ka intezar tha aur iske baad dono ke lab
hile aur unse wahi baat nikli jo kuch din pehle Avantika soch rahi thi aur aaj inke saath
saath usse bhi uske sawal ka jawab milne wala tha

Nishkalika/Madox:- aakhir tum kaun ho? jaise hi un dono ka sawal khatam hua tabhi kuch
aisa hua ki un dono ke saath saath waha moujud har kisike shocked hone ki seema naa
rahi un sab ke saamne ka saara manzar hi badal chuka tha mera sharir hawa me uth chuka
tha aur iss waqt main apni asli pehchaan ke libas me dhaka hua tha mere pure sharir par
wahi white kapde aa gaye the jo mere pehli baar apni asliyat janane ke waqt aaye the
mere peeche apne ghutno ke bal teeno God's messenger baithe hue the aur unke peeche
hazaron ki bheed me bramhaand ke sabhi angels sir jhukayee baithe hue the wahi mere
vaastavik roop ko dekhte hi waha moujud har koi haath jode apne ghutno par aa gaya tha
Lord Crusedar Alesendra Ashley king Solomon aur Defender jo ki mere asli roop ko dekhne
ke liye abhi abhi pahuncha tha wo waha moujud saare darshak aur unke saath mere saare
dost bhi apne ghutno par sar jhukayee baithe the aaj mujhe mere doston ka jhukna bura
nahi lag raha tha kyu ki main janta tha ki wo mere aage nahi balki mere vaastaviktamere
ohde ke aage jhuk rahe hain Vikram ke aage nahi God's son ke aage jhuk rahe hain par in
sab ke beech ek chehra tha jiske aankhon me paani aur dil me dard bhar chuka tha aur jo
in dono ko hi zabt karne ki koshish kar raha tha ye aur koi nahi Avantika thi usse apne
andar kuch tutatha sa mehsoos ho raha tha wo soch rahi thi ki wo bramhaand ke sabse
khoobsurat ladke ko bhi paa sakti hai par Lord of Angel ke karib bhi jana uski haisiyat ke
bahar tha aur issi baat ka mujhe dar tha issliye hi main Avantika ko yaha nahi laana chahta
tha uske andar in saari feelings ka janm lena ekdum normal si baat thi meri asliyat ka sach
itna bada hai ki koi angel bhi uske aas paas aane se darega fir Avantika toh ek maasoom
si ladki thi khair jo ho chuka hai usse badla toh jaa nahi sakta aur filhal mujhe apna adhura
kaam bhi pura karna tha issliye maine apni nazre aur dhayan Avantika ke upar se filhal ke
liye hata liya maine Madox aur Nishkalika ki taraf dekha jo pathrayi aankhon se mere sach
ko hazam karne ki koshish kar rahe the un dono ko kuch kuch toh samjh aa hi gaya tha
aur baaki ka adha abhi jo main bolne wala tha usse pata lag jana tha par kuch bolne se
pehle maine mann hi mann Shaila aur Ronit ko khade hone ko kaha dono khade ho gaye
aur fir mere lab hile

Main:- main ishwar putra Vikram Lord of Angels ki haisiyat aur adhikar se Nishkalika
tumhare andar moujud mere spear ki shakti aur Madox tumhare andar moujud holy water
ki shakti tumse waapas leta hun mere ye bolte hi Nishkalika aur Madox ki ek baar aur
cheekh nikal gayi un dono ke sharir ke andar moudud saari white energy unke sharir se
bahar aakar mujhme samane lagi aur jaise hi saari energy mere andar samayi Nishkalika
aur Madox me khade hone tak ki shakti nahi bachi thi par isse pehle ki dono neeche girte
saayennn saayennn Ronit aur Shaila ki talwar ek ek baar chali aur agle hi pal Nishkalika
aur Madox ka sar unke dhad se alag hokar gir gaya

Bhuvika:- nahiii

Planet: Earth

Place: College Canteen

bhai mera toh kal ka hangover abhi tak nahi utra

Anjali:- hang over? kal tune drink liya tha?

Ronit:- drink leta toh tere saamne thodi na kuch kehta

Anjali:- kya? wo toh ganimat hai ki Ronit ne apni baat dheere se kahi thi jis wajah se Anjali
ko kuch bhi theek se sunayi nahi diya warna aaj ladke ki lag jaani thi

Ronit:- arre yaar main sharab ke hangover ke bare me nahi balki kal jo humne Gluto me
jhande gaade uske hangover ke bare me baat kar raha hun mere dimag me ab bhi wahi
sab chal raha hai

Subah ka waqt hai Gluto ka samay chakra hamare planet ke mukable tez chalta hai Gluto
ke adventure ko khatam karke hum kal raat hi wapas aaye the par jab hum wapas earth
pahunche toh ek week nikal chuka tha aur wapas aate hi jab maine ye baat apne doston
ko batayi toh sabhi shocked ho gaye par ye baat sabhi ko pehle se hi pata thi ki hamare
Gluto jaate hi hamari jagah hamare clones ne le li thi maine sabko gaayab karke unke
kamro tak pahuncha diya tha aur aaj hum teeno ready hokar college me mile par kyu ki
ab final exams nazdik the issliye classes lagne band ho gaye the issliye hum teeno ne
canteen me dera daala

Anjali:- maza toh tujhe aur Shaila ko aaya hum toh baakiyon ki hi tarah bas audience
bankar baithe hue the

Ronit:- arre yaar main ladun ya tu lade baat toh ek hi hai naa

Anjali:- haan wo bhi hai waise aaj Avni aur Shanaya dono nahi aaye
Main:- Shanaya final paper ke preps karne se pehle ek baar apne ghar Dhawalgarh gayi
hui hai

Anjali:- aur Avni?

Main:- pata nahi ye bolkar main dusri taraf dekhne laga aur wahi Ronit aur Anjali ek dusre
ki taraf Anjali ne mere haath ke upar apna haath rakh diya

Anjali:- tu hame keh sakta tha na ki Avni ko naa le jaaya jaye

Main:- usse bura lagta

Ronit:- wo toh ab bhi lag raha hai

Main:- fark hai

Anjali:- main usse baat karun

Main:- jasbaat koi sabak nahi jo samjhana pade manzil hai jise paane ke liye chalna padega
chaahe jitna door jana pade ye bolte waqt main kuch udaas sa tha jise mere dono frndz
bhaamp gaye

Ronit:- bhai waise ek baat bata Avni uss princess se kya naam tha uska?

Anjali:- Alesendra

Ronit:- haan Alesendra se kya baatein kar rahi thi I mean un dono ki first mulakat thi par
aisa lag nahi raha tha

Anjali:- arre mujhe toh dono ek si lag rahi thi I mean dono hi alag hain par jab dono saath
khadi thi thi mujhe aisa lag raha tha maano dono jud si gayi hain dono ko dekhkar ek si
feeling aa rahi thi Ronit aur Anjali ki baat sunkar main muskura diya ab unhe kya batata ki
hum do bhaiyon ke dimag usse paida hone wali soch toh kafi alag alag hain par dil ke
maamle me hamari choice ek si hai jis tarah ke chehre ki khubsurti se usse pyar hua tha
ussi chehre sa ek chehra jiski saadgi se mera bhi dil machal gaya tha aur in sab se upar
Alesendra aur Avantika dono me do aur cheez thi jo ek si thi ek toh un dono ke naam ka
pehla akshar aur dusra unke dil ki sachayi

Ronit:- abbe kaha kho gaya bolega kuch Ronit ki awaaz se main apni soch se bahar aaya

Main:- kya bolun tera sawal hi bakwaas hai ab girls talk ke beech bhi apne kaan ghusaun
kya?

Anjali:- bilkul sahi kaha aur tujhe kyu jaanna hai ki wo dono kya baat kar rahi thi?
Ronit:- arre main toh bas aise hi

Main:- abbe ye sab baaton ko chhod kar apne incomplete syllabus ke upar dhayan de
exams paas hi hain chalo mere ghar kuch padahyi bhi kar lete hain

Ronit:- abbe tujhe padhne ki kya zaroorat hai? aisa kya hai jo tujhe nahi pata

Main:- beta tujhe toh hai aur mujhe pata hai ki agar tu apne ghar gaya toh sidhe so jayega
issliye mere ghar chalo tum dono hum teeno uthe aur parking ki taraf nikla pade

ye teeno toh ghar jaa rahe hain aur abhi filhal exams tak inki lifes normal ya ye kahu boring
hi rehne wali hai issliye filhal ke liye chaliye kal me wapas chalte hain aur dekhte hain ki
Nishkalika aur Madox ke marne ke baad kya hua a small flashback from yesterday

Lord of Angels ko hamara naman ye kehkar Lord Crusedar ne mere aage jhuk kar haath
jod diye aur theek unke baad yahi cheez unke saath khade king Solomon aur unki patni
Ashley ne bhi kiya par jaise hi Alesendra mere aage jhukne ko hui maine usse rok diya

Main:- aapko mere aage jhukne ki zaroorat nahi hai Alesendra aapne meri jaan bachayi
thi aur uske uparnaa chahte hue bhi hum dono ek bohat hi mazboot rishte me bhi bandhe
hue hain jisme aapka kirdar haath jodne ka nahi balki mere sar par apne haath rakh
aashirwaad dene ka hai

Alesendra:- aap ka kathan satya hai Vikram par uss rishte se bhi upar aapki pehchaan hai
jiske aage pure bramhaand ka natmastak hona anivarya hai

Main:- uss pehchaan ke aage aap pehle hi jhuk chukin hai iss waqt main aapke saamne
Lord of Angels ki haisiyat se nahi balki ek mitr ke haisiyat se khada hun meri baat sunkar
Alesendra ke chehre par ek muskaan naach gayi aur aisi hi muskaan waha khade har ek
vyakti ke chehre par thi siwaaye Avantika ke usse toh samjh hi nahi aa raha tha ki main
Alesendra se kis rishte ki baat kar raha hun par iss waqt wo apne hi ghum me itni zyada
doobi hui thi ki usne iss baat pe zyada dhayan nahi diya

Main:- Defender mujhe aage kuch kehna hi nahi pada Defender janta tha ki main kya
puchna chahta hun issliye usne bas apna naam sunte hi bolne shuru kar diya

Defender:- grah Setu ka kaam kuch hi dino me pura ho jayega

King Solomon:- Lord of Angels

Main:- Vikram aur agar ye naam bhi bada lag raha hai toh aap mujhe putra keh sakte hain
meri baat sunkar king Solomon khush ho gaye
King Solomon:- putra hamara aap se ek nivedan hai hum chahte hain ki iss grah Setu ka
sabse pehla upyog aap kare

Defender:- haan lord aapke aashirwaad aur kripa ke bina ye Setu banane ka karya kabhi
sambhav hi nahi ho paata kripya iss nivedan ko maan kar hamare grahon me apne charan
rakh hume paavan kare

Main:- maine pehle hi kaha hai aapse ki maine naa hi aap pe koi kripa ki hai naa hi ye mera
koi aashirwaad hai ye aapki khud hi ki mehnat aur balidan ka natija hai ki aapko aapki
purani shaktiyan wapas mili hain aur king Solomon aapko mujhse koi bhi nivedan karne ki
awashyakta nahi hai aapne mujhe putra kaha hai toh ye mera farz banta hai ki main aapki
har iccha puri karun aur aapki jo iccha hai wo mere liye soubhagya ki baat hogi kintu abhi
main ye nahi kar paaunga aapko kuch waqt tak intezar karna hoga?

Defender:- aapke charan hamare grahon me punah padengeyahi hamare liye soubhagya
ki baat hai hum intezar kare ge iske baad maine king Solomon Lord Crusedar aur baaki ke
logon ko mere paanchon doston se milwaaya Lord Crusedar king Solomon aur unki family
sabhi se milkar bohat khush hue khaas karke Ronit aur Shaila se abhi abhi unka parakram
jo dekha tha un sab ne abhi Lord Crusedar mujhse kuch kehne hi wale the ki itne me
Mokalsar mere paas aaya

Mokalsar:- Vikram bahar yaha ki saari praja khadi hui hai aur wo sab tumhe ek aur baar
dekhna chahte hain

Main:- mujhe bhi ek ghoshna karni hai chalo fir main waha ke sabhi logon ko lekar kheme
ke bahar aaya jahan iss waqt Gluto ki puri praja khadi thi jahan tak nazar jayen waha tak
log hi log khade the mere bahar aate hi wo sabhi apne ghutno par baith gaye

Main:- khade ho jaayiye maine ye sab dheere se bola tha par meri awaaz un praja ki bheed
me khade aakhri vyakti ke kaano me bhi barabar hi sunayi de rahi thi

Main:- abse yaha par koi bhi yudh spradha kabhi aayojit nahi hogi aur naa hi yaha ka
shaashak kabhi kisi chunouti ke bal par badlega Shaila saamne aao Shaila mere paas aakar
khadi ho gayi

Main:- aaj se iss grah ki nayi shaashak nayi rani Shaila hogi jahan meri baat sunkar puri
praja khush ho gayi wahi Shaila mouh faade meri taraf dekhne lagi

Main:- kya hua? itni hairan kyu ho?

Shaila:- main kaise?


Main:- tumne apni zindagi me bohat taklife jhelin hai issliye tum apni praja ki saari
pareshani ko naa sirf samjhogi balki unhe kushalta purvak door bhi karogi

Shaila:- par mujhe koi bhi rajnitik faisle ya masle sambhalna nahi aata maine Shaila ki baat
sunkar king Solomon aur Lord Crusedar ki taraf dekha

Lord Crusedar:- uski chinta mat karo putri wo hum tumhe sikhayenge

King Solomon:- bilkul aur mujhe bhi iss baat ka yakin hai ki tum ek bohat achi shaashak
banogi iske baad Shaila ne kuch nahi kaha kuch hi der me uski tajposhi bhi ho gayi

Main:- kisi bhi manushya ki saralta hi uska sabse mehenga abhushan hota hai Shaila bhale
hi tumhe apne mastishk ko ek raani ki tarah doudana pade kathor karna pade par apne
hriday ko hamesha komal hi banaye rakhna Shaila ne kuch nahi kaha bas mujhse gale lag
gayi abhi bhi uske aanhkon se baarish hi ho rahi thi par ye baarish khushi ki thi main usse
alag hua aur maine Mokalsar aur Akshaant ko awaaz di dono hi mere paas aa gaye Lord
Crusedar ab bhi mere paas hi khade the

Main:- Lord Crusedar aap kuch kehna chahte hain?

Lord Crusedar:- aap se kya chupa hua hai?

Main:- hmm Akshaant Mokalsar aaj se tum dono ko Warriors World ke logon ko yudh kala
me parangat banana hai kya tum dono iske liye tayar ho?

Akshaant:- tumne keh diya samjho ho gaya

Main:- Lord Crusedar Mokalsar aur Akshaant bhi Shaila ke hi barabar ke yodhha hain
issliye aap nishchint rahiye ye sab sambhal lenge Lord Crusedar kuch keh nahi paye wo
bohat zyada khush dikh rahe the tabhi meri nazar Alesendra par gayi jo Avantika se baat
kar rahi thi aur baat karne ke baad wo mere paas aane lagi main bhi uski taraf chal diya

Alesendra:- ek baat puchun Vikram?

Main:- Vj mere dost mujhe Vj bulate hain par Alesendra ne kuch nahi kaha bas meri
aankhon me dekhne lagi

Main:- kya hua? aise kya dekh rahi ho?

Alesendra:- dekh rahi hun ki tumhari aur Avantika ke chehre ke bhaav kitne milte julte
hain

Main:- matlab?
Alesendra:- matlab tum dono ke hi chehre par muskurahat dikh rahi hai par aankhen dard
se dhakin hui hain aisa toh tabhi ho sakta hai jab do logon ki khushi aur ghum ek dusre se
jude hue hon Alesendra ki baat sunkar iss baar main uski aankhon me dekhne laga

Main:- uski aankhon me wahi dard hai Alesendra jo Asmodeus ki asliyat janane ke baad
tumne mehsoos kiya tha bas fark sirf itna hai ki Asmodeus ki asliyat jante waqt tumhe
uske paapon ka bhi gyan ho gaya tha issliye tumhare mann main ek saath aneko vicharon
ne janm liye jiski wajah se tum saamanya hi rahi par Avantika ke maamle me aisa kuch
nahi hai meri baat sunkar Alesendra shocked ho gayi uski ye haalat kuch der tak rahi par
fir dheere dheere uski soch ne meri soch ko samarthan diya usne ek baar palat kar
Avantika ko dekha jo filhal Shaila ke saath khadi hokar baat kar rahi thi Alesendra ko uski
haalat par taras aa gaya

Alesendra:- tumhe toh sab kuch pata rehta hai fir tum uski ye bechaini khatam kyu nahi
kar dete

Main:- tumhare sawal me hi tumhara jawab chupa hua hai Alesendra ko meri baat ka
matlab samjh me nahi aaya

Main:- zyada mat socho jab sahi waqt aayega toh sabse pehle tumhe hi pata chalega iske
baad Alesendra aur mere beech kuch aur der tak baatein hui iss dauran ek baar jaise hi
meri nazar Avantika par gayi toh Avantika hadbada gayi kyu ki wo meri hi taraf dekh rahi
thi usne turant apni nazre ghuma li khair maine bhi nazre Avni se hatali aur Alesendra ko
lekar Lord Crusedar aur king Solomon ke pass pahuncha

Main:- hamare jane ka waqt ho chuka hai ab aap sab hume ijazat den Lord Crusedar aur
unke saath aaye sabhi ne firse mere aage haath jod diye

King Solomon:- grah Setu se pehli yaatra aap hi ko karna hai hume aapka intezar rahega

Main:- intezar toh mujhe bhi rahega aapki sampatti jo aapko punah loutani hai king
Solomon meri baat sunkar sab chonke kisi ko bhi meri baat ka matlab samjh nahi aaya

Main:- Fountain of Light meri baat sunkar ek baar fir sab chonke par agle hi pal sabke
chehre khil gaye

Alesendra:- arre haan ye main kaise bhul gayi usse toh bas tum hi dhund sakte ho

Main:- janta hun iske baad main ek baar fir sabse mila Shaila ko ek aur baar raani banane
ki badhayi di main abhi bhi yaha hun ye janane ki wajah se praja ab bhi bahar hi khadi thi
main ek baar bahar gaya mujhe dekhte hi wo sab firse mere ohde ka naam lekar chillane
lage maine apna haath upar kar sabko shaant kiya waise toh main muskura raha tha par
meri aankhon me bechaini thi aur wo issliye kyu ki uss bheed me ek chehra nadarad tha
Bhuvika jo iss waqt ek banzar si jagah par baithi ro rahi thi Nishkalika aur Madox kyu ki
kaali shaktiyon ke prateek the issliye unke marte hi unka sharir dhuen me badal kar
gaayab ho chuka tha aur unki saari kaali shaktiyan apni manzil par pahunch chuki thi wahi
iss waqt Bhuvika ke chere par kayi bhaav aa jaa rahe the par jo hua usse dekhte hue ye
saari cheezen toh swabhavik thi mujhe bechaini Bhuvika ke dil ki wajah se ho rahi thi jitne
bhi bhaav iss waqt uske chehre par aa jaa rahe the wo toh uske dimag ke upaj the par iss
waqt uska dil ek dum kora tha matlab bhaav shunya naa koi dardnaa koi aur bhaav aisa
lag raha hai jaise uske dil ki saari bhaavna khatam ho gayi hai aur ye koi choti moti baat
nahi thi aisa kuch hote hue main pehli baar dekh raha tha par main iss bare me kuch kar
nahi sakta tha aur naahi Bhuvika ko samjha sakta tha kyu ki Bhuvika ke liye Nishkalika ki
sachayi se zyada uska prem priya tha agar Nishkalika aur iss bramhand ke beech me se
Bhuvika ko kuch chunana hota toh bhi Bhuvika apni behan ko hi chunti aise vicharon ke
swami ko samjhaya nahi jaa sakta maine ek lambi saans chodi aur Bhuvika naam ke vichar
ko apne dimag se jane diya Avantika Ronit aur Anjali mere paas aa gaye the maine ek baar
fir sabse anumati li aur hum teeno gayab ho gaye

Planet: Monslickel Place: Asmodeus Palace

Beelzebub:- aisa kab tak chalega father? Vikram ek ke baad ek nayi shaktiyan paate chala
jaa raha hai aur hum kuch bhi nahi kar rahe hain naa aap usse rok rahe hain naa mujhe
rokne de rahe hain

Asmodeus:- hahaha Beelzebub ki baat sunkar Asmodeus hasne laga wahi Beelzebub apne
pita ko yun achanak haste dekh soch me pad gaya

Asmodeus:- do baatein pehli ki Vikram ko hum nahi sirf main rok sakta hun usse rokna
tumhare bas ki baat nahi hai aur iska ek chota sa udaharan tum uss dhaabe me dekh hi
chuke ho Beelzebub Asmodeus ki baat sunkar sharmsaar ho gaya

Asmodeus:- aur dusri baat usse nahi unhe mat bhulo ki Vikram mera bhai hai rishte aur
ohde me wo tumse kayi gun aage hai jab bhi uska naam lo izzat se lo aur jahan tak uske
shaktiyon ko paane aur usse rokne ki baat hai toh tum ye nahi dekh paa rahe ho ki usse
wo shaktiyan kis keemat par mili hain jabki wo saari shaktiyan toh ussi ki thi main chahkar
bhi unhe haasil nahi kar sakta tha toh usse rokne ka kya faayda par ab wo waqt door nahi
jab Asmodeus aur Vikram aamne saamne honge

Beelzebub:- kya? sach kya main


Asmodeus:- thek hai par usse pehle kuch aur hona baaki hai

Beelzebub:- kya? Asmodeus ne kuch nahi kaha bas Beelzebub ko saamne dekhne ka ishara
kiya aur jaise hi beelzubub ne saamne dekha wo shocked ho gaya kyu ki uske saamne koi
baitha hua tha shocked sirf Beelzebub nahi hua tha uss shaksh ki bhi aankhen hairat se
badi ho gayi thi ab achanak jagah badlegi toh shock toh lagega hi naa fir jab uss shaksh ki
nazar saamne gayi toh usse fir se shock laga uske saamne do log the jo gardan se pair tak
kaale libas me baithe usse hi ghur rahe the

Asmodeus:- tumhara swagat hai Bhuvika

Planet: Earth Place: College Campus

haash finally bukhar khatam hua

Anjali:- whattt tujhe bukhar tha aur tune mujhe bataya tak nahi dekhun toh kahi ab bhi
fever toh nahi hai ye bolkar Anjali Ronit ke maathe par haath rakh kar check karne lagi
wahi main zor zor se hasne laga mujhe hasta dekh Anjali sawal bhari aankhon se meri
taraf dekhne lagi ki tabhi Ronit bhi meri tarah hasne laga

Anjali:- tum dono ka dimag kharab ho gaya hai kya? yun bina wajah hase jaa rahe ho

Main:- hamara dimag kharab nahi hua tera dimag chalna aaj kal kuch kam ho gaya hai

Anjali:- matlab?

Main:- matlab ye tera bf body ke bukhar ki nahi exams ke bukhar ki baat kar raha hai

Anjali:- ohh toh kya sidhe sidhe nahi bol sakta

Main:- lai isne aaj tak koi baat sidhi sidhi boli hai jo aaj bolega aur tu saale bol toh aise
raha hai jaise saal bhar din raat mehnet ki thi tune exams ke liye kyu?

Ronit:- abbe tune jo pichle ek mahine se meri din raat laga rakhi hai naa usme mera saal
bhar ka kya do saal ki padhayi ka kota bhi pura ho gaya hai Ronit ki baat sunkar Anjali aur
main hasne lage aise hi hasi mazak karte hue hum canteen pahunch gaye aaj hamara first
year ka final exam khatam hua hai Gluto se wapas aaye aaj hume ek mahine se upar ho
chuka hai iss ek mahine me maine Ronit se din raat padhayi karwayi hai iss douran baaki
sab toh normal raha bas ek chiz badli hai aur wo kya ho sakta hai iske bare me toh aap
sab jante hi hain wo hai Avantika ka mere prati rawaiya waise toh wo sabke saamne haste
muskurate rehti hai mujhse bhi baatein karti hai par jab bhi wo mere saamne aati hai aur
mujhse baat karti hai toh uske rawaiye aur bol chaal me halki jhijhak rehti hai ye baat
Shanaya ne toh note nahi ki par mere doston ne iss baat par hamesha gour kiya hai wo
dono iss bare me Avantika se baat bhi karna chahte the par maine unhe rok diya dil ki
baatein samjhayi nahi jati balki khud samjhi jati hain main janta tha ki uska wajud meri
haqiqat ko apnane se dar raha hai par iss jung ko usse khud hi jitna tha apne dar ko usse
khud hi harana tha khair iss bare me main jab kuch kar nahi sakta tha soch kar kya faayda
maine bhi Avantika ki jhijhak ke upar usse kuch nahi kaha aur wo zyada uncomforable naa
ho issliye main uske saamne kam hi aata tha

Ronit:- chal bhai shuru ho jaa aur bata kya plan hai? abhi hum baithe hi the ki Ronit bhai
ne apna mouh faad diya

Anjali:- plan kaisa plan?

Ronit:- Isla ka aur kaha ka hamara agla adventure wahi hai naa

Main:- mere paas ek bad news hai aur ek good news batao pehle kya sunna chahoge?

Ronit:- ab ye kya baat hui? chal thek hai pehle bad news suna de phir good suna diyo
kamse kam bad news sunke jo mood off hoga usse thek karne ke liye kuch toh bacha hoga

Main:- toh bad news ye hai ki Isla main jaa raha hun tum dono nahi

Dono:- what?

Ronit:- kyu hum kyu nahi jayenge?

Main:- tum dono abhi tayar nahi ho

Anjali:- matlab? itna kuch toh sikh gaye hain aur tune hi toh kaha tha ki humse behtar
yodha shayad hi koi hoga

Main:- wo bhi ek sach tha aur jo main abhi keh raha hun wo bhi ek sach hai kuch cheezen
main tumhe abhi nahi bata sakta par yakin maano sahi waqt aane par tum dono ko sab
pata chal jayega meri baat sunkar Ronit aur Anjali dono udaas ho gaye

Main:- arre yaar tum dono udaas mat ho abhi good news baaki hai

Ronit:- saale pura mood off karke bolta hai ki good news baaki hai

Main:- acha matlab tum dono ko good news nahi sunni right

Anjali:- ab zyada bhaav mat khaa aur bata kya good news hai

Main:- usse pehle ye batao ki agle hafte kya hai?


Ronit:- yaar waise hi tune dimag kharab kar diya hai ab ye kaun banega crore pati khelkar
mood aur kharab mat kar

Main:- abbe main kaunsa tujhe for options de raha hun sidha sa sawal hai uska jawab de

Anjali:- hang on hang on mujhe pata hai tu kis din ke bare me baat kar raha hai Anjali jo
meri baat sunkar sochne lag gayi thi uske dimag ki batti jali

Anjali:- next tuesday uncle aunty ki marriage anniversary hai

Ronit:- oye teri ki ye main kaise bhul gaya

Main:- kyu ki tere dimag me bhussa bhara hua hai

Anjali:- tu iss good news ki baat kar raha tha

Main:- nopes good news ye hai ki iss baar hum sab mom dad ki anniversary celebrate
karne Switzerland jaa rahe hain

Dono:- what?

Main:- u heard me Ronit aur Anjali ne mujhe dono side se hug kar liya

Ronit:- kya news sunayi hai tune bhai maza aa gaya

Anjali:- haan yaar ye mera Switzerland ka first trip hoga maza aa jayega

Ronit:- wo toh mera bhi first time hi hai chal ghar chalkar sabko ye plan batate hain

Anjali:- haan fir hotel wagairah bhi toh book karni hogi naa

Main:- ghar me sabko pata hai aur maine hotel bhi book kar liya hai

Anjali:- kya? matlab ye sab pre planned tha jiske bare me sabko pata tha sivaaye hum
dono ke

Main:- haan warna ye maharaj study me thek se concentrate nahi kar paate

Anjali:- haan ye toh hai par ab toh hume bhi pata chal hi gaya hai naa ab yaha se jaate hi
main shopping karne jaaungi

shopping wow yun achanak anything special Anjali ki baat saamne se aati hui Shanaya ne
sun li thi uske saath Avantika bhi thi jisne ek baar meri taraf dekha par fir apni nazar
baakiyon ki taraf ghuma li ab ye mere liye normal ho gaya tha issliye maine bhi zyada gour
nahi kiya
Anjali:- haan special toh hai next tuesday Minu aunty aur Jairaj uncle ki marriage
anniversary hai

Ronit/Anjali:- aur hum sab usse celebrate karne ke liye Switzerland jaa rahe hain ye bolkar
dono baccho ki tarah shor machane lage

Main:- arre koi chocolate laakar do mere dono baccho ko meri baat sunkar Shanaya hasne
lagi wahi Avantika ke chehre par bhi halki si muskaan naach gayi

Anjali:- chupkar ek toh hamare bina hi sab planning kar leta hai aur ab jab hume pata
chala hai toh kya hum khush bhi naa hon

Shanaya:- oh toh ye sab Vj ka plan hai

Ronit:- aur nahi toh kya? aur pata hai iske bare me hamare ghar walon ko bhi pehle se
pata hai bas hum dono ko hi abhi pata chala

Main:- abbe bataya toh ki teri concentration kharab naa ho issliye nahi chhupaa kar rakha
tha

Shanaya:- arre wo sab chhodo the point iss ki tum sab Switzerland jaa rahe ho yaar tum
sab kitne lucky ho

Anjali:- arre toh tum dono bhi lucky ban jaao naa hamare saath chalo Anjali ki baat sunkar
Shanaya aur Avantika shocked ho gaye

Shanaya:- kuch bhi naa tum sab Lonavla nahi Switzerland jaa rahe ho aise hi chale jayen
kya hum bhi

Ronit:- aise hi matlab toh kya tum dono ko le jane ke liye hume pehle invitation card dena
hoga

Shanaya:- arre yaar itne short notice me tickets kaha se available honge I mean tum sab
hi itne saare log ho toh flight toh full ho hi chuki hogi Shanaya ki baat sunkar Anjali aur
Ronit hasne lage wahi Avantika aur Shanaya unhe sawal bhari nazro se dekhne lage

Shanaya:- humne koi joke maara kya?

Ronit:- joke hi toh maara hai tujhe kisne kaha ki humme Switzerland jane ke liye tickets ki
zaroorat padegi?

Shanaya:- matlab?
Anjali:- matlab ye ki Jairaj uncle ke paas apna khudka plane hai aur hume jab bhi kabhi kisi
foreign country me holiday ke liye jana hota hai toh hum ussi me jaate hain Anjali ki baat
sunkar Shanaya aur Avantika ki aankhen badi ho gayi aur isse pehle ki wo apne bhaav
vyakt karte

Main:- ab please haan ohh my God se shuru hone wali koi statement mat dena ab plane
hai toh hai not a big deal tu bas itna bata ki saath chalegi ki nahi agar tere paas passport
nahi bhi hai toh tension naa le banwa denge

Shanaya:- nahi passport toh hai par ek baar ghar walon se puch lete hain

Main:- cool aur agar koi problem ho toh Ronit aur Anjali ko bata dena ye tumhare ghar
aakar tumhare mom dad ko mana lenge waise toh ab hamare aur Avantika ke ghar walon
ke beech sab kuch normal tha bohat si social gatherings me hamari mulakat bhi ho jaaya
karti thi par fir bhi maine unke ghar me ghuske jo dabangayi dikhayi thi uski wajah se main
kabhi unke ghar nahi jata tha aur ye baat Shanaya aur Avantika bhi jante the dono ne
mujhe kayi baar kaha bhi ki mere bare me jab bhi unke ghar me baat hoti hai toh unke
ghar wale hamesha mere liye positive reactions hi dete hain par fir bhi maine avoid hi kiya

Shanaya:- thek hai hum shaam tak batate hain

Main:- thek hai fir aaj kafi late ho gaya hai ab ghar nikalna chahiye ye bolkar main uth
gaya Anjali aur Ronit ne Avantika aur Shanaya ko baari baari side hug kiya aur maine sirf
Shanaya ko Avantika ko maine bus bye kaha fir hum nikal gaye iss pure douran bus bye
bolte waqt hi maine Avantika ki taraf dekha tha baaki waqt maine uski taraf nazar bhi nahi
ghumayi thi Avantika ne kayi baar meri taraf dekha tha par iss dauran usne ye realize kiya
ki main uski taraf nahi dekh raha hun uske upar maine Switzerland jane wali baat par sirf
Shanaya ko hi pucha usse nahi jise usse bura laga par ab kar bhi kya sakte hain mujhe
avoid karne ka faisla bhi toh ussika tha ab har action ka koi na koi reaction toh hota hi hai
khair hamesha ki tarah Ronit aur Anjali ek bike par aaye the aur main apne hum teno
saath hi nikle fir ghar ke raaste par pahunch kar maine dono ko shaam ko aane ko kaha
aur bike apne ghar ki taraf ghuma di ghar pahunchne par jaise hi maine bike ko stand kar
palta toh mere dil me ek tees si uthi ye tees uss dard ki thi jiska ghaav shayad zindagi bhar
na bhare mujhse thodi hi door Aashi pool ke paas baithi upar aasman ki taraf dekh rahi
thi darasal wo apni maa Bhagwati maa ko yaad kar rahi thi Bhagwati maa ke balidan ke
baad maine unka ek clone bana diya tha Bhagwati maa ke clone ne mere ghar par apne
pati ki aatma ki shaanti ki puja karne ke liye kedarnath ki yaatra par jane ki baat kahi aur
mere nana ji se ijazat maangi nana ji se ijazat lekar wo clone chali gayi aur fir kabhi naa
louti bas ye khabar aayi ki Bhagwati maa ka accident ho gaya hai aur uss hadse me unki
body tak puri tarike se damage ho gayi hai agar main chahta toh ussi clone ko Bhagwati
maa ki jagah zindagi bhar ke liye rakh sakta tha par ye ek paap hota jhooti zindagi se acha
jhooti mout sahi mere mom dad ne Aashi ko godh le liya Aashi choti zaroor thi par itni
nahi ki apni maa ki mout ka matlab bhi naa jaan sake wo hamesha gum sum hi rehti thi
aur har waqt apni mom ko yaad karti rehti thi hum sab hamesha koshish karte rehte usse
khush rakhne ki par kehte hain naa jispe beetti hai wahi janta hai yahi saari baatein sochte
hue main uski taraf badh gaya

Main:- meri Aashi kya kar rahi hai yahn akele akele ye kehkar main uski side me baith gaya

Aashi:- kuch nahi bhaiya bas aise hi baithi hun main uski aankhon me dekhne laga itni si
umar me apne dard ko chhupane ke liye jhoot bolne ka hunar sikh gayi ye bachi shayad
apni maa ko khone ki wajah se Aashi waqt se pehle hi mature hone lagi thi

Main:- mummy ki yaad aa rahi hai? mere mouh se mummy shabd sunte hi uski aankhon
se aansu behne lage maine usse apni baahon me samet liya maine usse kuch der rone
diya aur jab kuch der rone ke baad uska dil kuch halka hua toh maine usse khud se alag
kiya aur apne dono haathon se uske dono haathon ko thaam liya

Main:- bacha pata hai jab Bhagwati maa yaha se gayi thi naa toh unhone mujhse kaha tha
ki meri Aashi ka khayal rakhna agar tu aise royegi toh unhe lagega ki main tera khayal nahi
rakh raha hun wo mujhse naraz ho jayengi meri baat sunkar ek baar firse Aashi ke aankhon
se moti nikalne lage

Main:- bacha meri mom ab teri bhi mom hain agar tu yunhi udaas rahegi toh unhe kitna
bura lagega unhe lagega ki tu unhe apni mom nahi maanti teri tarah wo bhi rone lagengi
lagengi kya dekhwo ro hi rahe hai kya tu unhe rulana chahti hai? meri baat sunkar Aashi
ne jhat se mere peeche dekha jahan iss waqt meri mom khadi hamari baat sun rahi thi
aur unke aankhon me aansu the Aashi jhat se mere godh se uthi aur jaakar mom ke pairon
me chipak gayi mom ne usse apni godh me utha liya

Aashi:- sorry mummy ab main nahi roungi please aap bhi mat rona naa ye kehkar Aashi
mom ke aansu pochne lagi

Mom:- promise karo ki fir kabhi nahi roge aap

Aashi:- promise mom ne Aashi kaa maatha chum liya

Mom:- tujhe kaise pata chala ki main tere peeche hun?


Main:- lai apni mom ko mehsoos nahi kar paaunga toh fir kisse karunga

Aashi:- aapki nahi meri mom Aashi ki baat sunkar hum dono hans diye

Mom:- haan bacha main bas aapki mom hun

Main:- thek hai fir tu apni mom rakh main apna bag rakhkar aata hun ye kehkar maine ek
baar Aashi ke gaal kheenche aur ghar andar chala gaya fir kuch khaas nahi hua shaam ko
mere dono dost aaye kuch der tak unhe pehle se plan ke bare me naa batane ki wajah se
mom se naraz hone ki acting ki fir kamine khud hi maan gaye fir hum teeno nikal gaye
shopping karne chaliye jab tak ye teeno shopping kar rahe hain hum zara ussi waqt me
wapas chalte hain jab Asmodeus aur Beelzebub ke saamne Bhuvika prakat hui thi

Planet: Monslickel Place: Asmodeus Palace

Bhuvika:- kaun ho tum dono? aur main yaha kaise aa gayi Bhuvika apne aankhon me pehle
se moujud beshumar dard ke bhaav ke saath hairat ke bhaav ko jodte hue idhar udhar
dekhne lagi wahi uske saamne khade Beelzebub aur Asmodeus ke mann main do alag alag
bhaav utpann ho rahe the Beelzebub ko apne andar ek ajeeb si kamzori mehsoos ho rahi
thi wahi Asmodeus ki mann main ek vyakulta thi wahi apne sawal ka jawab naa milne par
Bhuvika ne firse sawal kiya

Bhuvika:- kya tum dono bhi un logon ke saathi ho jisne meri didi ki jaan li agar aisa hai toh
mujhe bhi maar do waise bhi meri behan ke bina mera koi astitva nahi hai ye bolte bolte
Bhuvika ki aakhen ek aur baar aansuon se bhar gaye the

Asmodeus:- hum tumhare shubh chintak hain Bhuvika dushman nahi Asmodeus ki baat
sunkar ek baar firse Bhuvika ke aankhon ki putliyon me hairat naach gayi

Bhuvika:- main kaise maan lun? Bhuvika ji baat sunkar Asmodeus ke honthon par
muskaan aa gayi usme kuch kahanahi bas apna haath aage kar diya Asmodeus ke haathon
se ek neeli ray nikli aur agle hi pal Asmodeus se thoda aage ek aakriti banane lagi aur jaise
hi wo aakriti ne insaani roop liya Bhuvika aur Beelzebub ko ek jhatka laga wo aakriti jisne
abhi abhi insaani roop liya tha wo aur koi nahi Vikram tha par Beelzebub aur Bhuvika ke
shocked hone ki wajah alag alag thi aur isse pehle ki dono me se koi react karta tannn iss
awaaz se jaise Bhuvika hosh me aayi aur jab usne saamne dekha toh paya ki uske aage ek
talwar giri hui hai wahi Beelzebub Asmodeus se kuch kehne hi jaa raha tha ki Asmodeus
ne usse mann main hi chup rehne ka hukm diya
Asmodeus:- lo ye khada hai tumhara gunehgaar aur tumhare saamne padi hai talwar iske
saath jo karna chaho kar lo Bhuvika kuch der tak ek tak Vikram ko dekhti rahi fir dheere
dheere uski aankhon me Vikram ke liye nafrat aur aseem krodh ke bhaav utpann hona
shuru ho gaye usne apne saame padi talwar uthayi aur Vikram ke saamne pahunch gayi
aur saayenn saayenn Bhuvika lagatar talwar chalati rahi aur dekhte hi dekhte Vikram ka
pura sharir katta chala gaya jis ladki ne aaj tak chiti bhi nahi maari thi aaj usne bina ek pal
gawayen kisi insaan ki jaan le li thi wahi jaise hi Bhuvika ne Vikram par waar kiya Beelzebub
ke sharir me ho rahi kamzori gayab hone lagi Vikram ke sharir par waar karte waqt Bhuvika
ke ankhon se ansuon ki baad si nikal rahi thi par aakhri waar karte karte wo aansu ruk aye
aur unki jagah shock ne le li aur wo issliye kyu ki Vikram ki puri body kat chuki thi par abhi
tak uske sharir se ek bund bhi khoon kaa nahi nikla tha aur jaise hi Bhuvika ne Vikram ki
body ko chune ke liye haath aage badhaya body dhua banke hawa me gayab ho gayi
Bhuvika kabhi uss jagah ko dekhti jahan kuch der pehle Vikram ki kati hui body thi toh
kabhi Asmodeus ki taraf jo ussi ko muskurate hue dekh raha tha wahi in dono se alag
Beelzebub apne father ki yojna ko samjhne ki koshish kar raha tha kyu ki Asmodeus ke
Vikram ko saamne prakat karte hi wo samjh gaya tha ki saamne khada shaksh Vikram ka
clone hai

Bhuvika:- ye sab kya hai? aur wo jise maine abhi maara tha wo kaha gaya? aur uske sharir
se khoon kyu nahi nikla raha tha

Asmodeus:- kyu ki wo koi insaan nahi bas ek behrupiya tha Asmodeus ki baat sunkar
Bhuvika ko ghussa aa gaya aur usne jo talwar haath me pakdi hui thi usse Asmodeus ke
sar ko nishana banakar chala diya par Bhuvika ne ghumaya toh talwar hi tha par Asmodeus
ke gale tak pahunchte pahunchte wo talwar gaayb ho chuki thi wahi Bhuvika ki harkat ko
dekhkar Asmodeus aur Beelzebub hasne lage

Bhuvika:- hans lo jab pata ho ki khud ke paas zyada taakat hai toh dikhane me bohat maza
aata hai khaas kar mujh jaise ke aage jo shaktihin hain?

Asmodeus:- aur agar tumhe shakti shaali bana diya jaye toh agar tumhare andar aseem
shakti bhar di jaye toh Asmodeus ki baat sunkar Bhuvika ke saath saath Beelzebub bhi
chonk gaya

Bhuvika:- fir main uss vyakti jiska behroopiya abhi yaha khada tha uska haal bhi uske
behroopiye jaisa kar dungi Bhuvika ki baat sunkar Asmodeus fir se hasne laga wahi
Bhuvika firse aankhon me sawal liye Asmodeus ki taraf dekhne lagi
Asmodeus:- bewakuf ladki kya tumhari aankhon me patti bandhi hui thi jab Vikram ne
apna asli roop pure Gluto ko dikhaya tha taakat se tum usse ko kabhi nahi hara sakti
Bhuvika Asmodeus ki baat sunkar bohat nirash ho gayi

Asmodeus:- tum usse maar toh nahi sakti par usse ek aisa ghaav zaroor de sakti ho jo uske
liye mout se bhi badtar hoga Asmodeus ki baat sunkar Bhuvika ki aankhon me ek khooni
chamak aa gaya

Bhuvika:- agar aisa ho sakta hai toh aisa karne ke liye aap mujhe jo karne ke liye kahege
main karne ko tayar hun wahi Beelzebub jo shuru se apne father aur Bhuvika ke beech ki
baat sun raha tha wo bol utha

Beelzebub:- father kya main aapse kuch puch sakta hun?

Asmodeus:- usse pehle ye jaanna nahi chahoge ki iske aate hi tumhare andar kamzori
kaise aane lagi thi aur Bhuvika ke Vikram ke behrupiye ko maarte hi wo kamzori gayab
kaise ho gayi? Asmodeus ki baat sunkar Bhuvika fir shocked ho gayi aur yahi wo baat thi
jiski wajah se Asmodeus bhi vyakul ho gaya tha

Beelzebub:- haan janana chahta hun

Asmodeus:- kyu ki iss bramhaand ke 99 pratishat logon ke andar kahi na kahi halka sa hi
sahi par paap awashya hi chupa hua hota hai par Bhuvika ke mann main kuch waqt pehle
tak lesh maatra paap ki bhaavna bhi nahi thi aur issliye uske sharir se nikalti adrishya white
energy ki tarange tumhare kaali shaktiyon ko nichod rahi thi n jis wajah se tumhe kamzori
mehsoos ho rahi thi par Vikram ke behroopiye ko maarte hi iska mann badal gaya jis wajah
se wo white energies ki tarango ka asar kam ho gaya aur tumhari kamzori bhi jati rahi aur
ab tumhare sawal par aayen toh tum yahi puchna chahte ho naa ki ye naazuk si Bhuvika
jiska mann bhi komal sa hai wo Vikram ko kaise chot pahuncha sakti hai?

Beelzebub:- haan

Asmodeus:- Bhuvika maine jo kaha hai wo ho sakta hai par har chiz ki keemat hoti hai aur
kyu ki badla tumhara hai issliye keemat bhi tumhe hi chukani hogi kya tum keemat ada
karne ke liye tayar ho Bhuvika ne kuch kahanahi bas uski aankhon me confidence ka ek
aisa sailab utha jise dekhkar Asmodeus ke chehre par ek vijayi muskaan naach gayi

Asmodeus:- tumhe do kaam karne honge


1st:- tumhare andar bohat zyada maatra me white energy hai jise ek jhatke me khatam
karne ke liye tumhe Beelzebub ka khoon pina padega Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub
aur Bhuvika ko ab tak ka sabse bada jhatka laga par Bhuvika turanat sambhal bhi gayi

Beelzebub:- mera hi khun kyu? iska kaam liye toh kisi bhi devil ka khoon istemaal kar sakte
hain naa

Asmodeus:- nahi kar sakte Bhuvika ke andar ki energy ko bas tumhara khoon hi sambhal
sakta hai janti ho ye kya hai Bhuvika? iss waqt Asmodeus ke haathon ek upar do black
energies ke dhuen tair rahe the Bhuvika ne naa me gardan hila di

Asmodeus:- ye tumhari behan Nishkalika aur uske saathi Madox ki kaali shaktiyan hain
agar tumne apna pehla kaam kiya toh inaam swaroop tumhe ye dono shaktiyan milengi

Bhuvika:- main tayar hun mera dusra kaam kya hai?

Asmodeus:- tumhe Beelzebub se shayadi karni hogi Asmodeus ki shart ko sunkar Bhuvika
toh shocked hui hi thi par usse zyada Beelzebub shocked hua tha par saath hi wo apne
father ke faisle se khafa bhi tha aur iska kaaran ye tha ki wo shayadi shabd se hi nafrat
karta tha aur iski wajah uske father aur maa ki shayadi aur uska fal matlab wo jiski
pehchaan uske paida hote saath hi tay kar di gayi thi ki wo ek shaitan hai par uski itni
himmat aur haisiyat nahi thi ki wo apne father ki baat ko kaat sake issliye wo chup chaap
khada raha par Bhuvika ne apni baat ya ye kahu apna tark Asmodeus ke saamne rakh diya
bewakuf itna bhi nahi janti thi ki tark pesh karne ke maamle me in dono bhaiyon se koi
nahi jeet sakta

Asmodeus:- jis tarah aag ko aag nahi bujha sakti uske liye paani ki zaroorat padti hai ussi
tarah nafrat ko bhi sirf mohobbat hi khatam kar sakti hai apen father ke mouh se
mohobbat sunkar Beelzebub firse shocked ho gaya hazaron saalon me pehli baat aaj
Beelzebub ne Asmodeus ke mouh se iss shabd ko suna tha wahi Asmodeus bhi apne bete
ki soch se mehroom nahi tha

Asmodeus:- aise shabdon ka samouh aksar mera bhai istemal karta hai sochaaaj main bhi
karke dekhu pata toh chaleye sab bolne se kya milta hai par afsos kuch bhi mehsoos nahi
hua Bhuvika maine tumhe Beelzebub se shayadi karne ke liye kaha hai rishta nibhane ke
liye nahi Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub aur Bhuvika dono confused ho gaye dono
ko hi samjh nahi aaya ki Asmodeus aakhir chhahta kya hai ab inhe kaun samjhaye
Asmodeus ko samjhna inke bas ki naa hai

Asmodeus:- bas itna samjh lo ki ye tum dono ke liye zaroori hai


Bhuvika:- thek hai main tayar hun Asmodeus ne Beelzebub ki taraf dekha Beelzebub ne
apna ek haath aage kiya agle hi pal uske haath me ek bada sa katora tha fir Beelzebub ne
apna dusra haath aage kiya aur jaise hi usne ye kiya Asmodeus ne apni ek ungle ko hawa
me talwar ko ghumane jaisa chalaya aur agle hi pal Beelzebub ki kalayi kat gayi waha se
tez dhaar kaala khoon nikalne laga par wo khoon niche nahi gira balki Beelzebub ke dusre
haath me rakhe katore me girne laga wahi Bhuvika ye sab hairat bhari nazro se dekh rahi
thi kuch hi der me wo katora pura Beelzebub ke khoon se bhar gaya jaise hi katora bhara
Beelzebub ki kalayi bhi theek ho gayi Beelzebub ne katora saamne kar diya wo katora
hawa me tairta hua aage badha aur Bhuvika ke saamne jaakar ruk gaya khoon se bhare
katore ko dekh kar Bhuvika ko ubkayi aa gayi

Asmodeus:- apni behan ki mout ko yaad karo Bhuvika behann iss shabd ne Bhuvika ke
andar ek sailab paida kar diya aur agle hi pal wo khoon se bhara katora Bhuvika ke honton
ke beech fasa hua tha honth ke dono taraf se halka halka khoon ris raha tha wahi Bhuvika
ko lagatar bina mouh hataye ya ye kahu bina cheekhe chillaye khoon pita dekh Beelzebub
ki aankhen hairat se fail gayi wahi Asmodeus ko bhi ye samjh aa gaya ki Bhuvika ko
chunkar usne galat nahi kiya aur iska kaaran ye tha ki Beelzebub ka khoon boiled water se
bhi zyada garam tha uske upar uss khoon me nukile kaaton ki chubhan bhi thi iss waqt
Bhuvika ko wahi dard mehsoos ho raha tha jo kuch samay pehle Madox ne holy water ko
peete waqt mehsoos kiya tha par iss aseem dard ke baawajud Bhuvika gatagat wo khoon
peete chali jaa rahi thi Bhuvika ke aankhon se aansu beh rahe the par wo aansu uss aag
ko bujhane me asamarth the jo aag iss waqt Bhuvika ke dil me lagi hui thi kuch hi palon
me wo khun se bhara katora bhi khaali ho gaya Bhuvika ne uss katore ko fek diya uske
gale me bohat zyada dard ho raha tha usse aisa lag raha tha jaise koi uske gale ko andar
se kaat raha hai par iske baawajud uske mouh se uff tak nahi nikli ab tak Beelzebub bhi
samjh gaya tha ki jis ladki ko wo ek naazuk si kali samjh raha hai wo andar se utni hi kathor
bhi hai aur ab Beelzebub ko Bhuvika se shayadi karne me koi aapatti bhi nahi feel ho rahi
thi par ab bhi wo ye janana chaah raha tha ki uske father aisa kyu chaahte hain wahi
Asmodeus ko Bhuvika ka yun asahaniya dard ko bhi bina kuch bole sehte rehna dekh
bohat acha laga Asmodeus ne apna haath aage kar diya uske haath se ek kaali roshni nikli
aur Bhuvika ke gale me sama gayi aur issike saath Bhuvika ka dard bhi khatam ho gaya
abhi Bhuvika dard se nijaat paakar chain ki saans le hi rahi thi ki uska sharir badalne laga
uske sharir ka aakar badhne laga uske haath pair bhi foolne lage par kuch der tak aakar
badhne aur sharir foolne ke baad Bhuvika ka sharir wapas normal ho gaya aur ye dekhkar
Asmodeus khush ho gaya wahi Bhuvika ko apne saath ho rahe badlao ko dekhkar shock
laga tha
Bhuvika:- ye sab kya tha?

Asmodeus:- mubarak ho black energy ne tumhare sharir ko apna liya hai abhi jo badlao
tumhare andar aa rahe the wo issliye hi the black energy tumhare andar khud ko thek se
samayojit kar rahi thi yaha Asmodeus apni baat keh raha tha wahi Bhuvika ko apne andar
aseem shakti feel ho rahi thi jo lagatar badh hi rahi thi

Bhuvika:- mujhe ajeeb sa lag raha hai aisa lag raha hai jaise mere andar kisi cheez ka
sanchar ho raha hai

Asmodeus:- tum shaktishaali ho rahi ho

Bhuvika:- toh kya ab main apna badla le sakti hun

Asmodeus:- nahi usme filhal waqt hai ye kehkar Asmodeus ne apna haath aage kar diya
uske haathon me Madox aur Nishkalika ki jo kaali shaktiyan thi wo uske haathon se nikal
kar Bhuvika ke andar samane lagi aur jaise hi Madox aur uski behan ki saari shakti uske
andar samayi Bhuvika ki aankhen laal ho gayin uske pure sharir me Beelzebub ki hi tarah
kaala libas aa gaya rang barf ki tarah safed ho gaya Bhuvika ko aisa lagne laga jaise wo
agar chaahe toh pure grah ko bhi chutki me mita sakti hai

Asmodeus:- ab dusre kaam ko anjam dene ka waqt aa gaya hai

Beelzebub:- main tayar hun

Bhuvika:- main bhi

Asmodeus:- samvibhaga sarvatomukham share spirit ek dusre ka haath pakad tum dono
ko iss spell ko bolna hai isse tum dono ki aatma ke aadhe hisse ek dusre se jud jayenge
Beelzebub aur Bhuvika ne jaisa Asmodeus ne kaha tha waise hi kiya haath pakad kar jaise
hi dono ne mantra uccharit kiya dono ke sharir se unki rooh bahar nikli jahan Beelzebub
ki rooh puri kaali thi wahi Bhuvika ki rooh aadhi kaali aur aadhi safed thi aur jaise hi dono
ki rooh ne ek dusre ko chua Bhuvika aur Beelzebub ki aakhen bandh ho gayin jahan
Bhuvika ko apna koi hissa Beelzebub se judta hua sa laga wahi Beelzebub ko apne andar
kuch darwaze khulte hue se dikhe kuch der tak aisa hi chalta raha fir dono ki rooh apne
malik aur maalkin ke body me wapas chale gaye aisa hote hi dono wapas normal ho gaye

Asmodeus:- ab tum dono ek dusre se jud gaye ho Bhuvika Beelzebub ne jo bhi kuch sikha
hai ab wo tumhare mastishk ke kisi kone me bhi moujud hai dhayan ke maadhyam se
tumhe un saari chizon ko bahar laana hai jis din tum ye karne me safal hui tum apna badla
le sakti ho par tum wahi karogi jo karne ke liye main tumse kahunga Bhuvika ne kuch nahi
kaha bas gardan haan me hila di

Asmodeus:- mubarak ho Beelzebub Bhuvika ki wajah se ab tumhara sharir white energy


ko jhelne ke kabil ho gaya hai Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub ki khushi kaa thekana
nahi raha kyu ki wo Asmodeus ki ankahi baat bhi samjh gaya tha

Beelzebub:- thank you father

Asmodeus:- Bhuvika ko lekar kisi aisi jagah jaao jahan ye shaanti se dyaan laga sake
Bhuvika aur Beelzebub ne ek baar Asmodeus ke aage sar jhukayea aur gayab ho gaye

Asmodeus:- wo kya kehte hain bhai tumhare grah par? haan the game iss on

Planet: Earth Place: Ahuja's mansion

I hope yaar ghar wale maan jayen aur hume Switzerland jane ki permission de den mera
bohat mann hai jane ka tujhe kya lagta hai ghar wale hum dono ko allow kare ge shaam
ka waqt hai waise toh Avantika aur Shanaya dopahar ko hi college se ghar wapas aa gaye
the par uss waqt ghar par sirf auraten hi thi issliye Shanaya ne decide kiya ki wo shaam ko
jab saare gharwale moujud honge uss waqt jaakar sabse Switzerland jane ki permission
legi

Avantika:- hum dono nahi sirf tujhe

Shanaya:- matlab?

Avantika:- matlab mujhe koi permission nahi leni main kahi nahi jaa rahi hun

Shanaya:- what par kyu? Switzerland jana toh tera dream tha naa

Avantika:- haan toh wo toh aaj nahi toh kal main jaungi hi par filhal mujhe kahi nahi jana
Shanaya ne pehle Avantika ko manane ki sochi par fir usne socha ki jab Avantika ka mann
hi nahi hai toh jabran usse force karne ka koi matlab bhi nahi hai

Shanaya:- thek hai teri marzi par mujhe toh jana hai issliye main chali sabko patane ye
bolkar Shanaya niche hall ki taraf chali gayi jahan iss waqt lagbhag sabhi gharwale moujud
the wahi Shanaya ke kamre se bahar jane ke baad Avantika apne bed par let gayi aur
budbudane lagi

Avantika:- (mann main) main kyu jaaun? usne toh mujhe ek baar pucha tak nahi tabhi
Avantika ke dil se awaaz aayi
A/dil:- aur wo bhala tujhse kuch kyu puchega? pichle ek mahine se tu usse lagatar avoid
kiye jaa rahi hai issliye usne bhi tujhse puchna zaroori nahi samjha

Avantika:- arre bhala ye kya baat hui? wo matter dusra hai aur ye dusra dono ko mix kyu
karna?

A/dil:- acha aur wo bhala kaise jise tu ignore kar rahi hai ussi ka hi toh ye holiday ka plan
hai naa jab banda wahi hai toh matter alag kaise hua

Avantika:- haan toh usne bhi toh mujhse apni itni badi asliyat chupai hai

A/dil:- kya sach me kya tujhe usne ye nahi bola tha ki sahi waqt aane par tujhe sab kuch
apne aap pata chal jayega aur kya usne apna wo waada nahi nibaya tujhe uski asliyat ussi
ke through nahi pata chali kya tujhe kisi aur se pata chala tujhe pata hai ki asli problem
kya hai? asli problem ye hai ki tu usse chahne lagi hai aur ab jab tujhe uski asliyat uske
wajood ke bare me pata chal gaya hai toh tu khudko bohat chota maanne lagi hai but u
know what? jaise tum dono ke pehli mulakat ke waqt tune usse galat interpret kar liya
tha thek waisa hi kuch tu ab bhi kar rahi hai itne waqt me tu kamse kam itna toh jaan hi
chuki hogi ki bhale hi usse samjhna mushkil ho par ek baat hai jo crystal clear hai aur wo
ye hai ki wo kabhi bhi kisi ko chota nahi samjhta aur uske bade ho jane se tu choti nahi ho
jati ye saare negetives bas tere dimag ki upaj hain aur kuch nahi aur tere dimag ke maths
ke hissab se bhi agar situation ko dekha jaye toh chalo maana ki tum dono ke beech aage
kuch nahi ho sakta par ek chiz toh abhi bhi hai hi naa dosti fir tu apni feelings ki wajah se
iss rishte ko kharab karne pe kyu tuli hui hai tujhe ye baat abhi abhi pata chali hai ki wo
kaun hai par usse toh apne bare me pehle se hi pata hoga naa uske baawajud kya usne
tujhe kabhi bhi ye ehsaas hone diya ki tu uski friend banne ke layak nahi hai tum dono ke
beech jo bhi duriyan aayi hain ye sab tera kiya dhara hai aur ab iss holiday me naa jaakar
tu iss doori ko aur badha rahi hai kya pata ek din sach me hi wo tera dost bhi na rahe

Avantika:- nahi main aisa nahi hone dungi main bhi iss holiday pe zaroor jaungi ye bolkar
Avantika ek jhatke me uth kar khadi ho gayi aur kamra kholkar neeche ki taraf tezi se nikal
gayi

Wahi niche

Shanaya:- dad bade papa mujhe aapse kuch kehna hai Shanaya aur Avantika ke dad hall
me baith kuch business ki baatein discuss kar rahe the itne me unke kaano me Shanaya ki
ye awaaz padi

A/Dad:- haan beta bolo kya baat hai?


S/Dad:- kya tune credit card ki limit firse cross kar di? ye bollar Nikhlesh aur Naveen hasne
lage wahi unke saamne khadi Shanaya ne mouh bana liya

Shanaya:- offo dad hamesha aisa thodi naa hota hai wo toh bas kabhi kabhi zyada
shopping ho jane par limit khatam ho jati hai

S/Dad:- haan aur ye tera kabhi kabhi pichle 6 months se lagatar ho raha hai ye bolkar fir
dono hasne lage

Shanaya:- kya bade papa aap bhi dekhna jis din meri job lagi naa aapki payi payi louta
dungi

Dono:- sach

Shanaya:- jhoot Shanaya ka jawab sunkar firse dono hans pade par iss baar Shanaya bhi
iss hasi me shaamil thi

Shanaya:- achawo sab chhodiye mujhe aap dono se kuch kehna hai actually permission
leni hai

S/Dad:- kahi tu ne koi ladka toh pasand nahi kar liya? kya tune ladka bhi pasand kar liya
aur hume abhi tak bataya bhi nahi chal jaldi se puri details de ladke ka naam kya hai? kis
ghar se hai? mummy paapa kya karte hain? koi buri aadat toh nahi hai naa usme ab bata
naa tu ne ye sar par haath kyu rakha hua hai? isse pehle ki Shanaya apne dad ke mazak
me puche gaye sawal ka koi jawab deti kitchen se bahar aati hui hui uski mom ne uske
pati ki boli hui baat sunli aur sach maan li aur uske baad jo raashan paani lekar wo Shanaya
ke upar chaddhi wo toh aap sab ne padh hi liya hai jahan Amrita ki baat sunkar Naveen
aur Nikhlesh hasne lage wahi Shanaya ne apne sar par haath rakh liya

Shanaya:- arre mom maine koi ladka pasand nahi kiya hai dad mazak kar rahe hain apni
beti ki baat sunkar jab Amrita ne apne husband aur jeth ki taraf dekha toh paya ki wo
dono apni mouh ko dabaye hue hans rahe the

S/Mom:- kya jee aap bhi naa na jane maine kya kya soch liya tha iss baar dono apni hasi
daba nahi payen aur zor zor se hasne lage

Shanaya:- ho gaya aap dono ka ab main kuch bolun? actually main apne friends ki family
ke saath ek holiday par jana chahti hun
Main nahi hum Shanaya ne piche palat kar dekha jahan se Avantika uski taraf aa rahi thi
Avantika ko aata dekh aur ye jaankar ki usne apna mind change kar liya hai aur wo bhi ab
uske saath chalegi ye jaankar Shanaya khush ho gayi

Avantika:- hum dono apne frndz aur unki family ke saath holiday par jana chahte hain

A/Dad:- haan toh whats the big deal? chale jao Avantika aur Shanaya Avantika ke dad ki
baat sunkar khush ho gaye

S/Mom:- aise hi haan keh diya pehle puch toh lo ki jaa kaha rahe hain

Shanaya:- Switzerland Shanaya ki baat sunkar sabhi bade shocked ho gaye

S/Mom:- koi zaroorat nahi hai itni door jane ki

Shanaya:- mom please naa waise hi hamare holidays shuru ho gaye hain ek trip toh banta
hai naa aur aapko toh pata hai ki mujhe aur Avantika dono ko Switzerland dekhne ka kitna
mann hai

A/Dad:- wo sab toh thek hai beta par Switzerland koi India me toh hai nahi jo aise hi chale
gaye

Shanaya:- bade papa wo hamare friend ke dad ke paas khudki plane hai aur wo hum dono
ko bhi apni beti hi maante hain toh koi problem nahi hogi

A/Dad:- khud ki plane hai kiski baat kar rahi ho?

Shanaya:- Vikram ke dad ki mera naam sunte hi Shanaya aur Avantika ke dads ka mind
change hone laga jitne baar bhi hum mile the utni baar me unke mann main mere liye
positivity aa gayi thi uske upar wo mere dad ke bare me bhi jante the wo jante the ki mere
dad ke rehte unki bacchiyan safe rahengi par ussi waqt unke andar ka pita unhe apni
bacchiyon ko akele bhejne se rok raha tha

Shanaya:- plz maan jaayiye naa ye bolkar Shanaya ne Avantika ko kohni maari wo janti thi
ki Avantika ki baat koi nahi taalta

Avantika:- dad plz

A/Dad:- thek hai chale jana Avantika ke dad ke permission dete hi Avantika aur Shanaya
khush ho gaye par agle hi pal unke chehron par ek baar firse tension dikhne lagi aur ye
tension Shanaya ki mom ki wajah se aaya tha

S/Mom:- arre jawan bacchiyon ko yun akela kaise chhod sakte hain?
A/Dad:- kisne kaha ki ye dono akeli jaa raa rahin hain Riyansh aur Devansh bhi inke saath
jayenge apne dad aur bade papa ki baat sunkar Avantika aur Shanaya ke chehre par ek
saath do do bhaav aaye pehla bhaav tha khushi ka aur dusra tension kaa khushi iss baat
ki ki unhe jane ki permission mil gayi thi aur tension iss baat ki kyu ki Riyansh aur Devansh
ke saath Vikram ki history achi nahi rahi thi haalaki un dono ne bhi Vikram & family se
maafi maang li hai fir bhi maafi maangna aur jinse maafi maangi ho unke saath hang out
karne me fark hota hai

Avantika:- dad Riyansh bhaiya aur Devansh bhaiya nahi maanenge

A/Dad:- inki fikr mat karo un dono ko main samjha dunga tum dono ek baar Vikram se
puch lo

Avantika:- theek hai dad ye bolkar Avantika aur Shanaya apne room ki taraf chal di In
room

Avantika:- ab kya kare yaar? bhale hi dad ke order ko hamare dono bhaiya taal naa paye
par wo dono khushi khushi jane ke liye ready nahi honge

Shanaya:- haan wo toh hai par kar bhi kya sakte hain? par pehle Vikram se toh puch len

Avantika:- wo mana nahi karega problem bhaiya logon ki hai ek baar unhe mana len uske
baad Vikram ko milkar puch lenge

Shanaya:- haan ye bhi thek hai chal dekhte hain kya hota hai aur hua bhi wahi jo Avantika
soch rahi thi shaam ko jab Riyansh aur Devansh ghar aaye toh Avantika ke dad ne unhe
sab bataya aur kaha ki unhe bhi apni behno ke saath jana hoga apne dad ke saamne toh
dono kuch nahi bol paye par fir dono Avantika ke room ki taraf unse baat karne chal diye
jahan pehle se hi Avantika aur Shanaya un dono ka intezar kar rahe the

Riyansh:- yaar ye tum dono ne hume kaha fasa diya Riyansh ne Avantika ke room me
ghuste hi sawal kiya Shanaya kuch kehne hi wali thi par Avantika ne usse rok diya

Avantika:- pehle aap dono ek baat bataiye kya aap dono ke mann main abhi bhi Vikram
Anjali aur Ronit ke liye bair hai? negativity hai?

Dono:- bilkul bhi nahi jab galti hamari thi toh unhe galat kyu samjhna par fir bhi

Avantika:- odd lagta hai right dono ne haan me sar hila diya

Avantika:- aur issliye hi Vj bhi kabhi hamare ghar nahi aata taaki aap dono ko kabhi odd
naa lage par kab tak aisa chalega ab hum sab ek hi group me hain toh hanare families ko
bhi milkar rehna chahiye na aur ye karne ke liye isse better mouka nahi milega iss holiday
me aap dono ke mann ki awkwardness khatam ho jayegi dono ladkon ko Avantika ki baat
sahi lagi

Devansh:- par agar un teeno me se kisi ko hamara aana acha nahi laga toh

Shanaya:- aapka ye doubt bhi clear kar dete hain ek baar un teeno se mil lete hain ye
bolkar Shanaya ne phone nikala aur mujhe call laga di iss waqt hum teeno shopping
khatam kar restaurant ke liye nikalne hi wale the mere phone uthate hi Shanaya ne hum
teeno se kab mil sakte hain ye pucha toh maine unhe abhi hi apne saath dinner ke liye
invite kar diya Shanaya maan gayi waha wo charon bhai behan humse milne nikle yaha
maine Ronit aur Anjali ko bata diya ki Avantika ke ghar par kya kya baatein hui hain aur
wo charon humse milne abhi kyu aa rahen hain maine dono ko Riyansh aur Devansh se
aise baat karne ke liye kaha jaise unhe ye lage ki hamare beech kabhi kuch hua hi nahi tha
karib ek ghante baad hum sab hamare tay kiye resturant me pahunche jaise ki maine apne
doston ko bataya tha Riyansh aur Devansh hamare saamne aate hi kuch uncomfortable
se dikhe par maine Ronit aur Anjali ne milkar un dono ko chilled out kar diya kuch hi der
me wo dono normal ho gaye aur hamare saath openly baat karne lage par abhi tak hamare
beech holiday ki baat nahi hui thi issi dauran

Main:- bye the way hum sab mere mom dad ki marriarge anniversary celebrate karne
Switzerland jaa rahe hain so why dont u guyz join uss bohat maza aayega meri baat sunkar
Riyansh aur Devansh khush ho gaye kyu ki dono hi iss topic par baat karna chah rahe the
par unhe samjh nahi aa raha tha ki start kaise kare?

Riyansh:- we would love too infact hum yaha issliye hi aaye hain darasal mom dad ne
Avantika aur Shanaya ko jane ki permission de di hai par saath me ye condition bhi rakhi
hai ki hum dono bhi inke saath jayen

Ronit:- haan toh isme problem kya hai u both are more than invited yaar

Anjali:- exactly next tuesday ko nikalna hai toh jo bhi shopping vagairah karni hai usse
pehle kar lo humne toh karli

Main:- aur haan apne passports mujhe de dena visa ke liye zaroorat padegi

Shanaya:- tum logon ne shopping bhi karli aur hume bataya tak nahi not fair yaar

Anjali:- arre tune hume clear kaha kiya tha ki tum bhi chaloge issliye humne kar li par
tension naa le jab bhi shooping par jayegi mujhe bata dena
Main:- ye mohtarma sar par kafan baandh kar pahunch jayengi wo kya hai naa inhe
shopping naam ki jung ko ladne me bohat maza aata hai Anjali ki baat kaatkar baaki ki
baat maine keh di jise sunkar sab hasne lage wahi Anjali ne mouh bana liya

Shanaya:- iski baat mat sun Anju ye ladke kya jane shopping karna kisi jung ladhne se kam
nahi hota kahi kuch galat select kar liya toh paise bhi gaye saath me look bhi kharab ho
jata hai

Main:- arz kiya hai

Teeno ladke:- irshad irshad

Main:- achi surat ko sawarne ki zaroorat kya hai? saadgi me bhi kayamat ki adaa hoti hai

Riyansh:- kya baat hai yaar awesome jahan meri baat sunkar ladke waah waah kar rahe
the wahi Shanaya aur Anjali ke mouh ban gaye the iss dauran maine Avantika ki taraf ek
baar bhi nahi dekha tha par Avantika lagatar meri hi taraf dekh rahi thi issi tarah hasi
mazak karte karte kab dinner khatam hua pata hi nahi chala dinner ke baad hum sab bahar
ki taraf chal diye hum teeno un charon ko car tak chhodne gaye iss dauran Ronit Riyansh
aur Devansh se baat karta hua jaa raha tha Anjali aur Shanaya ek dusre ke saath lage hue
the waise toh Avantika bhi unke saath hi thi par wo chup thi wahi main sabse piche chal
raha tha mouka dekhkar Avantika ne bhi apne kadam dheere kar liye taaki baaki sab aage
nikal jayen aur kuch hi pal baad main aur Avantika saath chal rahe the par maine tab bhi
uski taraf nahi dekha aur saamne dekhkar chalta raha jabki wo meri taraf hi dekh rahi thi
tabhi aahhh aur iss awaaz ke aane ke baad wale pal me Avantika meri baahon me thi hua
ye ki Avantika ke pair ke neeche ek patthar aa gaya jise uske pair mud gaye usse zyada
dard toh nahi hua par disbalance hone ki wajah se uske mouh se aah nikal gayi par isse
pehle ki wo girti maine usse sambhal liya tha wo ek tak meri aankhon me dekh rahi thi
dekh toh main bhi raha tha par maine apni nazre uspar se hata usse sidha khada kar diya
par jaise hi main aage badhne ko hua Avantika ne mera haath pakad liya main palta aur
uski aankhon me dekhne laga kehna toh wo bohat kuch chaah rahi thi lab kayi baar khulne
ke liye thartharaye bhi par lafzon ne zubaan par aate aate hi dum tod diya par jo dil ki
baat na samjhe wo Vj nahi uske dil ki ghabrahat khwahish tapish tadap sukoon sab kuch
mujh tak pahunch chuka tha dono ke dilon ne apna kaam kar diya tha aur dono ke beech
faili hui khamoshi ne apna kuch hi palon me bina ek lafz mouh se nikale hum dono ke
beech ke saare gile shikwe khatam ho gaye the par kabhi kabhi ehsaas ko kamse kam ek
choti si hi sahi par sahi alfaaz ki zaroorat padti hai taaki wo khud ko ek naye rishte ka roop
de sake aksar logon ko kehte suna hai ki dosti ya fir kisi bhi special relationship me sorry
aur thanks ki jagah nahi hoti par main iss baat ko nahi maanta jahan galti ho aur uss galti
ka ehsaas ho waha maafi ka friend request bhejna zaroori hota hai aur mera dil aur main
issi intezar me the ki kab ye request Avantika ke mouh se nikle ki tabhi wo shabd nikla

Avantika:- sorry

Main:- maaf kiya

Planet: Earth Place: Menakshi Mansion

good evening aunty good evening uncle

V/Mom:- aao aao bacho baitho Vikram ki mom aur dad ne Avantika Shanaya aur unke
saath aaye unke dono bhaiyon ke gesture ka jawab dene ke baad kaha shaam ka waqt hai
Vikram ne apne mom dad ko bata diya tha ki Avantika Shanaya bhi hamare saath aane
wale hain aur unke saath unke do bhai bhi honge aur mere dono dost toh the hi Vikram
& party Switzerland ke liye kal nikalne wale hain meri mom ne jane se pehle mujhse ek
baar Avantika ke dono bhayion ko ghar lane ko kaha taa ki wo dono bhi sab se mil len aur
holiday me jane se pehle hi sabse comforatble ho jayen aur issliye maine Riyansh aur
Devansh ko ghar bula liya Riyansh aur Devansh dono hi jante the ki mere dad India ke
leading industrialist me se ek hain issliye dono thoda nervous the aur ye baat maine dad
ko dheere se bata di

Dad:- sowe have two faces in our house today haan

Riyansh:- hello sir I’am Riyansh & he iss my brother Devansh

Devansh:- hello sir

Riyansh:- sir I must sayit's a huge honour to sit infront of u ye baat Riyansh ne sirf kisi
aupcharikta ki wajah se nahi kahi thi he meant what he said aur ye uski aankhon me dekha
jaa sakta tha waise toh meri khud ki haqiqat bohat badi hai Gluto me meri pehchaan ki ek
choto si jhalak dekh kar sabne kaise react kiya thaye toh aap sabko pata hi hai par jab koi
mere dad ki taarif karta hai ya unke aage respect se jhukta haitoh jo feeling mere dil me
aati hai usse main shabdon me bayan nahi kar sakta aur wo isiiye kyu ki meri pehchaan
mere janm se pehle hi sunishchit ho chuki thi par mere dad ne apni pehchaan khud banayi
hai ek aisi pehchaan jiske aage har koi jhukta hai main bhi

Dad:- do u work for me? dad ne ye baat thodi kadak awaaz me boli thi jise sunkar Riyansh
aur Devansh jo pehle se hi dad ko apne saamne dekh kar thode nervous the wo aur
nervous ho gaye
Dad:- maine pucha ki kya tum dono mere liye kaam karte ho?

Riyansh/Devansh:- no sir

Dad:- toh ye sir sir kya laga rakha hai yaar mere bachon ke frndz ho toh mere liye bhi mere
bache ki hi tarah hue naa uncle bulao and just relax isse apna hi ghar samjho dad ki baat
sunkar Riyansh aur Devansh thoda relax ho gaye arre waah aaj saare bacche ghar par kis
baat ki meeting chal rahi hai bhai? abhi humme se koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz
hamare piche se aayi jo ki mere naanu ki thi naanu ko aata dekh hum sab khade ho gaye
afterall head of the family jo the Riyansh Devansh Shanaya Avantika ne naanu ke pair chue
naanu ne charon ke sar par haath rakh unhe blessings di

Nana ji:- in dono bachiyon ko toh main janta hun par ye do noujawano ko pehli baar dekh
raha hun

Avantika:- naanu ye hamare bhai hain

Nana ji:- acha acha Avantika ke mouh se naanu sun kar mujhe bohat acha laga aur feeling
sirf mere mann main hi nahi jaagi thi Avantika ko bhi aisa bolte waqt ek alag hi ehsaas ne
chua tha

Nana ji:- waise abhi shaam ke waqt sabhi bache ghar par kahi ghumne nahi gaye tum log

Main:- naanu wo kal hum sab holiday par jaa rahe hain naa Riyansh aur Devansh bhi
hamare saath jaa rahe hai toh mom ne kaha tha ki ek baar inko ghar le aaun

Nana ji:- acha kiya beta beta hume bhi apne gharwale hi samjhnaa koi bhi baat bolne me
bilkul bhi nahi hichakna

Riyansh:- jee nana ji

Dad:- papa aapki packing ho gayi

Nana ji:- haan wo tumhari mummy kar rahi hain

Ronit:- naanu aap excited toh hain naa iss holiday ke liye

Nana ji:- aare main toh tum sab se zyada excited hun ek toh pehli baar videsh jaa raha
hun aur uske upar mere dono bachon ki shayadi ki saalgira hai dekhna sabse zyada toh
main hi naachunga nana ji ki baat sunkar hum sab hans diye wahi mom aur dad ne naanu
ko side se hug kar liya bhaiya hum sab hans hi rahe th ki itne me hamare kaano me ye
awaaz aayi ye aur koi nahi Aashi thi jo komal ke saath bahar khel rahi thi aur abhi abhi
andar aayi thi jis din se maine Aashi ko samjhaya tha uss din ek baad se wo kabhi nahi royi
aur ab wo hamesha khush hi rehti hai aur jaise bache zid karte hain thek waisi hi zid ab
meri Aashi bhi karti thi infact uske aur komal ke beech zid ke naam pe hamesha
competition lagi rehti thi par unki har zid unhe aur bhi pyara bana deti thi khair mera
naam lete hue Aashi doud kar aayi aur meri godh me kud gayi maine bhi usse pakad liya
wahi uske saath aa rahi komal ne jab ye dekha toh wo bhi daudte hon aayi aur usne bhi
Aashi ki hi tarah mere upar chalang laga di maine usse bhi godh me utha liya main dono
ke saath masti karne me lag gaya wahi mere ghar walon ki mere doston ke saath kuch der
tak baat hoti rahi

Ronit:- chalo yaaro kahi ghum kar aate hain

Main:- yaar ye dono mujhe nahi chhodengi

Anjali:- aare paas ke hi coffe house me chalte hain naa bacchon ko bhi saath le chalte hain
ye waha icecream khaa lengi Anjali ki ice cream ki baat sunke komal aur Aashi ne ice cream
ki rat lagani shuru kar di mom ne bhi hume ussi coffe shop me jane ko kaha mere saare
frndz naanu mom aur dad se baari baari mile dad ne sabko subah 10 baje tak yahi ghar
par aane ke liye keh diya hum sab coffe house ke liye nikle jahan dono bacchiyan ice cream
khaane me busy ho gayin hum ladke milkar ipad me hamare Switzerland me rukne wale
hotel aur arrangements ki baat me lag gaye wahi teeno girls apne gossip me mashgool ho
gaye kuch der baad hum sab ek dusre ko kal milne ka keh apne apne ghar nikal gaye fir
kuch khaas nahi hua next day plan ke mutabik Avantika & party subah 10 baje se pehle hi
mere ghar pahunch gaye hum sab toh ready the hi Avantika & party Ronit aur Anjali ke
parents se mile aur unke saath bhi kafi jaldi comfortable ho gaye hum sab alag alag cars
se airport ke liye nikal gaye Shanaya hamare plane ko dekhne aur usme safar karne ke liye
kuch zyada hi excited thi unme se kisi ne bhi aaj tak kisi chartered plane me sair nahi ki
thi aur jab air field me khadi hui hamari plane par un sab ki nazar gayi toh wo sab aur
zyada excited aur khush ho gaye hum sab hasi khushi masti karte hue plane me baith gaye
aur hamare baithte hi hamari plane ne take off kar liya ab bas 10 ghante ka safar baaki
reh gaya tha hume Switzerland ke sheher Zurich me land karne ke liye

Planet: Yeluptus Place: Stormy Desert

Yeluptus ek banzar planet naa hawa aur naa hi paani har taraf reth hi reth aur ussi reth ka
ek agyat gas ke zariye uthata hua bawandar suraj ki dheemi si roshni jo ki kisi aur grah ke
ujale ke liye thi uss garh se hota hua uss surya ka ek baarik sa prakash Yeluptus grah par
padh raha tha jise yaha ke bhayavaha mahoul ko dekha jaa sakta tha par aise viran grah
me jahan kisi kide tak ka vaas nahi hai waha hum kar kya rahe hain? arre ye kya? iss
bawandar bhare registaan me ye do saaye kaun hain chaliye paas se dekhte hain arre ye
dono toh Bhuvika aur Beelzebub hain par ye yaha kar kya rahe hain? achaa yaad aaya
Asmodeus ne Beelzebub se Bhuvika ko kisi shaant jagah le jane ko kaha tha aur Beelzebub
ne ye jagah chuni hai par ye jagah hi kyu? aayiye Beelzebub ki zubani hi sun lete hain

Beelzebub:- Yeluptus me tumhara swagat hai Bhuvika Bhuvika ne kuch kahanahi bas idhar
udhar dekhti rahi uske mann bhi yahi khayal aa raha tha Beelzebub usse yahi kyu laya hai

Beelzebub:- yahi soch rahi ho naa ki main tumhe yaha kyu laya hun? Beelzebub ki baat
sunkar Bhuvika chonk gayi

Bhuvika:- tumhe kaise pata ki main kya soch rahi hun?

Beelzebub:- tum bhool rahi ho ki hum dono ke spirits ab jud gaye hain issliye main tumhari
soch padh sakta hun

Bhuvika:- par main toh tumhari soch nahi padh paa rahi hun?

Beelzebub:- kyu ki abhi tumhari shaktiyon par tumhara niyantran nahi aaya hai aur issliye
hi hum yaha aaye hain isse achi jagah tumhe apni shaktion ko niyantrit karne ke liye nahi
milegi aur naa hi pariksha dene ke liye isse behtar koi sthaan hai

Bhuvika:- pariksha kaisi pariksha?

Beelzebub:- apni shakityon ki hadon ko pehchaanne aur usse aur nikharne ki pariksha
haan ye satya hai ki iss waqt tumhare andar do shakti shaali devils ki urja hai aur uske
saath meri shaktiyan aur zindagi bhar mere sikhe gaye vidyayen bhi tumhare mastishk ke
kisi kone me dafan hai kintu ek satya ye bhi hai ki tumhara janm manushya yoni me hua
hai aur isilye meri shaktiyon ko apni shakti banana tumhare liye ya ye kahu tumhare sharir
ke liye aasan nahi hai par ye naa mumkin bhi nahi bai aur ye jagah iss mushkil kaam ko
tumahre liye asaan karne ke liye raasta bhi banayegi aur saath saath kuch rode bhi
atkayegi jise tumhe paar karna hai

Bhuvika:- jab ye jagah meri madad karne wali hai toh fir rode kyu atkayegi? aur waise ye
jagah hai kya? tumne mujhe ab tak ye bhi nahi bataya ki ye jagah hi tumne kyu chuni?

Beelzebub:- tumne aksar suna hoga ki burai kitni bhi badi kyu na ho ant me achayi ki hi
jeet hoti hai par ye jagah uss burayi ka prateek hai jiske saamne achayi ne apne ghutne
tek diye the
Bhuvika:- matlab

Beelzebub:- jis banzar grah me hum khade hain kisi zamane me ye ek hara bhara jeeven
se bhara hua grah tha par yaha ki aabadi zyada nahi thi kul 200 log iss grah me rehte the

Bhuvika:- bas 200

Beelzebub:- yaha ke grah waasi koi sadharan manushya nahi the wo bohat alag the aur
sabse mazedar baat ye thi ki un 200 logon ke naam nahi the bas pehchaan thi aur ussi
pehchaan se pura bramhaand naa sirf unhe janta tha balki unke samman me jhukta bhi
tha

Bhuvika:- ajeeb baat hai bina naam ke manushya waise unme aisi kya visheshta thi jiske
aage pura bramhaand jhukta tha

Beelzebub:- unki pehchan hi unki visheshta thi un 200 logon ke samouh ko samay
sanchalak ke naam se jana jata tha aur yahi naam unki pehchaan bhi thi

Bhuvika:- samay sanchalak kya wo samay ki gati ko aage piche kar sakte the?

Beelzebub:- shayad

Bhuvika:- shayad matlab tumhe nahi pata?

Beelzebub:- nahi mujhe kya kisi ko bhi nahi pata ye sab mere janm se hazaron saal pehle
ki baat hai mujhe bas itna pata hai ki wo samay sanchalak achayi ke pratik the aur behad
shaktishaali bhi

Bhuvika:- fir unhe kisne maara? Beelzebub ne kuch nahi kaha bas Bhuvika ki taraf dekh
kar muskuraya aur Beelzebub ke muskaan se Bhuvika ko uske sawal ka jawab bhi mil gaya

Bhuvika:- tumhare father ne

Beelzebub:- haan par father ne unhe maara nahi balki unki aatmaon ko kaid kar liya

Bhuvika:- aatmaon ko kaid kar liya matlab? fir un samay sanchalakon ke sharir kaha gaye

Beelzebub:- tum unke upar khadi ho? Beelzebub ki baat sun Bhuvika ko ek tez jhatka laga

Bhuvika:- main toh reth par khadi hun? kya un sab ke sharir reth me badal gaye?

Beelzebub:- nahi iss zamin ke neeche iss grah ki neev me un sabhi ke sharir dafan hain aur
issi wajah se hi aaj bhi ye grah bacha hua hai warna kabka fat chuka hota aur un shariron
me ab bhi white aur black urja kafi maatra me bhari hui hai aur jab tum yaha dhayan
lagane ke liye baithogitab ek taraf wahi black urja tumhe meri shaktiyon aur siddhiyon ko
tumhare mastishk ke bhitar dhundne me madad kare gi wahi white urja tumhe apni
manzil tak pahunchne se rokengi

Bhuvika:- adbhudh par mujhe ek baat batao tumari baaton se pata chalta hai ki yaha jo
log rehte the unke andar jo bhi shakti thi wo unhe white energy se mili thi par tum keh
rahe ho ki unke andar black energy bhi hai toh wo unke andar kaha se aayi

Beelzebub:- mujhe pura sach toh nahi pata par jitna pata hai utna bata deta hun father
ko un samay sanchalako se kuch chahiye tha jo un logon ne father ko dene se mana kar
diya father ne bal purvak uss chiz ko un samay sanchalako se chhinane ki bhi koshish ki
par naakamiyab rahe ye jaankar ki Asmodeus ko kuch chahiye tha par wo usse haasil karne
me naakamiyab raha ye jaankar Bhuvika ko shock laga apni behan aur Madox ki shaktiyon
ko paane ke baad Bhuvika ko Asmodeus ki shaktiyon ke bare mejitna Nishkalika aur
Madox jante theutna pata chal gaya tha aur ussi aadhar par Beelzebub ki baat usse hazam
nahi ho paa rahi thi

Bhuvika:- samay sanchalak tumhare father se bhi zyada shakti shaali the

Beelzebub:- mere father se shakti shaali koi bhi nahi hai agar aisa kuch hota toh mere
father un samay sanchalako ko kaid nahi kar paate

Bhuvika:- samay sanchalakon ko tumhare father ne kaid kyu kiya unhe toh un sab ko maar
dena chahiye tha

Beelzebub:- yahi baat maine bhi apne pitah se puchi thi tab unhone mujhe bas yahi bataya
tha ki jo chiz unhe samay sanchalakon se haasil ki hai agar wo un sab ko maar denge toh
wo chiz bhi nasht ho jayegi

Bhuvika:- oh par tumhare father ne un sab ki aatmaon ko kaid kaise kiya?

Beelzebub:- father ye jante the ki bal purvak wo samay sanchalakon ko maar nahi payenge
issliye unhone chhal ka istemaal kiya samay sanchalak hamesha dhayan ki mudra ne
baithe rehte the ek din samay sanchalakon ko apne grah ke vaayu mandal ke bahar kuch
dhamake sunayi diye aur ye dhamake kuch kuch der ke baad lagatar ho rahe the in
dhamakon se iss grah ko kuch nuksaan toh nahi ho raha thapar dhamakon ke awaaz se
unka dhayan bhang hone laga un dhamakon ka kaaran janane ke liye un me se kuch
sanchalakon ne vaayu mandal se bahar jane ki baat kahi par kyu ki unme se kisiko bhi God
se aisa karne ki ijazat nahi thi issliye baakiyon ne mana kar diya aur wo sab punah apna
mann ekagrit kar dhayan me baith gaye par un dhamakon ki awaazon ki wajah se wo thek
se dhayan kendrit nahi kar paa rahe the aur grah ke andar se wo naa hi iss pareshani ki
wajah jaan paa rahe thenaa hi usse thek kar paa rahe the antaha unme se kuch
sanchalokon ko apne grah ke vaayu mandal se bahar jana hi pada God ko chhodkar bas
mere father hi aise the jo ye jante the ki Yeluptus ke bahar samay sanchalakon ko maara
jaa sakta hai par wo ye bhi jante the ki samay sanchalakon ke marte hi jis chiz ko wo haasil
karna chahte hainwo nasht ho jayega issliye unhone ek dusri yukti soch kar rakhi thi samay
sanchalak apne grah ke seema ko paar kar bahar aaye aur unhone dekha ki antariksh k
beech hi lagatar ruk ruk kar lagatar karn bhedi dhamake hote jaa rahe hain dhamakon ki
awaaz se tang aakar unhone usse rokne ke liye spell bola aur yahi wo dhoka khaa gaye
unhe pehle dhamakon ke hone kaa kaaran jaan lena chahiye thapar awaaz ki tivrata ki
wajah se unhone bina kaaran jane spell bol diya tha aur jaise hi samay sanchalok ke bole
gaye spell ki wajah se ray nikal kar un dhamakon par padiun dhamakon se bhi ek ray nikli
aur uss ray ne samay sanchalakon ke ray ko jakad liya aur aisa hote hi uss ray ka shroth jo
ki samay sanchalak thewo bhi dhamakon se ujwalit hue ray me bandh gaye unhone bohat
koshish ki par wo chhut nahi paye par iske saath ek cheez aur bhi hui thi darasal saare
samay sanchalak ek dusre se jude hue the aur jaise hi antarikh me aaye hue samay
sanchalak un dhamakon se niklie rays me fasenneeche grah ke baaki ke saare sanchalakon
ke sharir bhi hawa me uthkar upar ki taraf jane lage un sab ne bohat koshish ki ki wo aur
upar naa jayen par wo sab kuch kar naa paye aur wo sab ye bhi jaan gaye the ki antariksh
me gaye unke saathi yon ke saath kuch galat hua hai aur ussi wajah se unke saath bhi ye
ab ho raha hai kuch hi der me saare samay sanchalak antariksh me the antariksh me aate
hi sabhi sanchalakon ke sharir bhi rays se bandh gaye wo sab apne bandhan se nijat paane
ki bohat koshish kar rahe the par wo kaamiyab nahi hue tabhi unke saamne ek tez roshni
hui aur uss roshni ke beech mere father prakat hue mere father ko dekhte hi saare
sanchalak samjh gaye ki ye sab unka hi kiya dhara hai samay sanchalak mere father ko
uksaane ke liye unhe bhala bura kehne lage wo chaahte the ki mere father krodh me aakar
unhe maar den kyu ki aisa karte hi jis chiz ki chaah mere father ko thi wo bhi nasht ho jati
par mere father un sab ke manzubo se awgat the par iske baawajud unke saamne ek aur
pareshani thi aur wo ye ki Yeluptus ki neev hi un samay sanchalakon ke shaktiyon se rakhi
gayi hai issliye wo un sab ko apne saath bandi banakar bhi nahi le jaa sakte the par wo
samay sanchalakon ko waapas Yeluptus me bhi nahi chhod sakte the kyu ki Yeluptus me
jaate hi samay sanchalakon ki shakti fir se badh jati aur mere father ne jis chiz ke liye itna
kuch khel racha thawo usse wapas apne paas bula lete aur wo chiz toh thi hi samay
sanchalakon ki amanat unke bulate hi wo wapas aa jati
Bhuvika:- aur issliye unhone ek yukti sochi aur wo ye ki samay sanchalakon ke sharir ko
unki shakti sahit Yeluptus ke neev me dafna diya jaye aur un sab ki spirits ko apne saath
le jaaya jaye kyu ki aatma bina sharir ke reh sakti hai par sharir bina aatma ke nahi reh
sakta haina Bhuvika ne Beelzebub ki aage ki baat puri ki

Beelzebub:- haan par usse pehle father Yeluptus gaye aur uss cheez ko jise haasil karne
ke liye unhone itna kuch kiya thausse liya aur wapas samay sanchalakon ke saamne aa
gaye uske baad father ne samay sanchalakon ke sharir se unki aatma ko alag kar diya
aatma ke alag hote hi sharir ka koi mol nahi raha sabhi sanchalakon ke sharir antariksh
me tairne lage fir father ne un aatmao se unki saari shakti unke shariron me sthanantaran
kar di par saath saath un sab ke sharir me kuch kaali shaktiyan bhi bhej di jise sanchalakon
ke spirits agar chaahen toh bhi apne sharir ka pata nahi laga paate fir father ne sabhi
sanchalakon ke sharir iss grah ke neev me dafna diye par jaise sharir ko sharir uski aatma
banati haithek ussi tarah ek grah ko bhi grah hawa aur paani banate hain iss tark par jaise
hi bina aatma ke saare sanchalakon ke sharir dafan huethek ussi waqt iss grah ki aatma
ne bhi isse chhod diya aur ye grah aisa ban gaya banzar

Bhuvika:- itna khatarnaak dimag itni dur darshita ke bare me socha bhi nahi jaa sakta
wakayi tumhare father jaisa koi nahi waise tumne ek baat abhi bhi nahi batayi un samay
sanchalakon ke spirits ka kya hua? tumhare father unhe kaha le gaye

Beelzebub:- father ne un sab ko rakhne ke liye ek alag grah ka nirman kiya

Bhuvika:- ek alag grah kaa abhudh koi naam hai uss grah kaa?

Beelzebub:- Shadow World Planet: Yeluptus

Place: Stormy Desert

ye baar baar ho kya raha hai? jab bhi main dhayan kendrit karne ki koshish kar rahi
hunmere dimag ko jhatka sa lag raha hai

Beelzebub:- ye toh bas shuruat hai abhi toh tumhe kathinayion ke pahad ko paar karna
baaki hai Beelzebub ne Bhuvika ko jitna usse pata thautna batane ke baad wo usse jis
maksad se yaha laya tha usse shuru karne ke liye kaha Bhuvika wahi reth ke beech paalthi
maarkar baith gayi aur apni aankhen band kar apne andar jhakne ki koshish karne lag gayi
par iss kaam ki shuruat hi bohat mushkil thi aur iski wajah thi reth me lagatar uthata
bawandar jo Bhuvika aur Beelzebub ke sharir ko lagatar chu raha tha kyu ki Beelzebub aur
ab Bhuvika bhi devils the issliye iss bawandar se unhe koi nuksaan toh nahi pahunch raha
tha par concentration bigadne ke liye kafi tha par Bhuvika ne haar nahi maani aur apne
sharir ke bhaar ko reth me dabate hue concentrate karne ki koshish karne lagi aur kuch hi
der me wo concentrate karne me kaamiyab ho hi gayi thi usse apne andar kaali aur safed
roshni ki urja dikhne hi lagi thi ki achanak Bhuvika ke mastishk ko ek jhatka sa laga aur wo
dhayan se bahar aa gayi par Bhuvika ne haar nahi maani aur dobara apni aankhen band
kar concentrate karne ki koshish karne lagi par fir wahi hua white aur black urja ke dikhte
hi Bhuvika ke dimag ko ek baar firse jhatka laga aur wo wapas dhayan se bahar aa gayi fir
yahi ghatna kram Bhuvika ke saath lagatar hua jise chidkar usne apni baat Beelzebub ke
saamne rakhi jiska jawab Beelzebub ne diya

Bhuvika:- kathinayion ka pahad matlab

Beelzebub:- jis jagah pahunchakar tumhare mastishk ko jhatka lag raha hai wo tumhari
shaktiyon ke saamraajya ki sarhad hai aur waha par tumhare andar moujud white aur
black urja ke kan moujud hain jo tumhe aage badhne se rok rahe hain

Bhuvika:- par wo shaktiyan toh meri hi hain naafir mujhe kyu rok rahe hain

Beelzebub:- abhi tak tumhari shaktiyan tumhare aadhin nahi huin hain unhe apna gulam
banane ke liye tumhe unhe azaad karna hoga aur wo tabhi hoga jab tum unhe dekhogi
unka sparsh karogi aapni saari shaktiyon ko sparsh karte hi tumhari saari shaktiyan tumhe
apna lengi aur jis jhatke se tum itni viclit ho rahi howo toh tumahre pareshaniyan ki bas
shuruat hai uss sarhad ko paar karte hi tumhari asli pareshani shuru hogi Bhuvika
Beelzebub ki baat sunkar shocked ho gayi

Bhuvika:- asli pareshani matlab?

Beelzebub:- itni jaldi bhul gayi iss grah ke neev me pade samay sanchalakon ke sharir me
moujud white energy jo tumhare raaste ki sabse badi chunouti hain aur jaise hi tumne uss
chunouti ko paar kiya tumhe tumhari shaktiyan mil jayengi

Bhuvika:- par mujhe meri hi shaktiyan paane ke liye itna sangharsh karne ki aawashayakta
hi kyu hai?

Beelzebub:- aasani se mili cheez ki kadar nahi hoti Bhuvika jitna kathin sangharsh utna hi
mitha fal milta hai par main samjh sakta hun ki tum sangharsh ke bina hi sab kuch kyu
paana chahti ho aaj tak tumhe tumhari behan ki wajah se sab kuch aasani se jo mila hai
tumhe kabhi mehnat karne ki zaroorat hi nahi padi par ye mat bhoolo ki ab tumhari didi
mar chuki hai ab tumhe sab kuch apne dum par hi haasil karna hoga Beelzebub ke mouh
se apni behan ke marne ki baat sunkar Bhuvika ko krodh aa gaya aur wo Beelzebub ko
maarne ke liye apne dhayan aasan se uth gayi aur agle hi pal dhaamm wo punah wapas
apni jagah par baith gayi ya ye kahu baitha di gayi hua ye ki jaise hi Bhuvika uthi Beelzebub
ne apna haath aage kiya uske haathon se ek pressure air ray nikli aur Bhuvika ko lagi jise
Bhuvika wapas apni jagah par baith gayi

Beelzebub:- apna ghussa apni urja apne pratishodh ke liye bacha kar rakho Bhuvika aur
waise bhi ye mat bhoolo ki ab hamari aatmaye jud chuki hain agar mujhe koi nuksaan hua
toh taklif tumhe bhi hogi Bhuvika kuch der tak Beelzebub ko ghurti rahi par fir usne apni
aakhen band karli

Beelzebub:- apne mann se saare bhaav bahar nikal do Bhuvika naa premnaa mohnaa
krodhnaa jigyasa bas uss kiran par apne chit ko akagrait karo jo tumhare mastishk ke
beech ujwalit hogi aur uss kiran ki dor ko pakad aage badhti jaao tumhe tumhari manzil
mil jayegi Beelzebub ne ye sab bol toh diya tha par wo janta tha ki ye sab bolna jitna aasan
hai karna utna hi mushkil waise toh usne Bhuvika ki dhridta ka namuna dekh liya tha par
wo ye bhi janta tha ki apni behan ko khone ki wajah se Bhuvika ka mann bohat vichlit hai
aur vichlit mann se wo kabhi bhi apni shaktiyon tak pahunch nahi payegi par ummid aur
intezar karne ke siwa wo kuch kar bhi toh nahi sakta tha wahi Bhuvika dhayan awashta
me wapas wahi pahunch chuki thi jahan usse jhatka lagta tha aur jaise hi Bhuvika white
aur black urja se bane sarhad par pahunchi white aur black urja ne usse chu liya jise usse
wapas ek jhatka laga aur wo dhayan se bahar aa gayi aur jab usme saamne dekha toh
paya ki Beelzebub usse dekhkar muskura raha hai

Bhuvika:- yaha main baar baar asafal ho rahi hun aur tum hans rahe ho

Beelzebub:- tumhari asafalta pe nahi main tumhare dar pe hans raha hun iss baar jab tum
apni shakti ki sarhad par pahunchi toh tum jhatka lagne se dar rahi thi issliye hasi aa gayi

Bhuvika:- toh isme hasne wali kaun si baat hai?

Beelzebub:- jis shakti ko paane ke liye tum dhayan me baithi ho ussi ke sparsh se dar rahi
ho aise me hasi toh aayegi ek baat batao kabhi tumne khaana banaya hai? ya fir kisi ko
khaana banate waqt dekha hai

Bhuvika:- banaya toh nahi hai par haan dekha hai

Beelzebub:- khaana jab banta hai toh kya tum turant khaa leti ho?

Bhuvika:- nahi

Beelzebub:- kyu?
Bhuvika:- kyu ki wo bohat garm hota hai jab uski garmahat thodi kam hoti hai tabhi usse
khaaya jaa sakta hai

Beelzebub:- hmm ab ek baat batao jab tum apni shakti ki sarhad par pahunchti ho tab
hota kya hai?

Bhuvika:- main jaise hi aage badhne ki koshish karti hun shaktiyon ke sparsh se mujhe
jhatka lagta hai aur main dhayan se bahar aa jati hun

Beelzebub:- tum mere sawal ko samjhi nahi main yeh puch raha hun ki jab tum waha
pahunchti ho toh tumhe kya dikhta hai?

Bhuvika:- mere waha pahunchte hi white aur black urja do alag alag taraf se ek dusre ki
taraf badhne lagte hain aur

Beelzebub:- aur jaise hi wo milte hain thek ussi waqt tum unhe paar karne ki koshish karti
ho Beelzebub ne Bhuvika ki baaki ki baat puri kar di

Bhuvika:- haan toh par aage Bhuvika kuch keh nahi payi kyu ki usse Beelzebub ke tark ka
matlab samjh me aa gaya tha? aur wo ye ki jis tarah khaane ko pakte saath nahi khaaya
jata kyu ki wo bohat garam hota hain thek waise hi jis waqt white aur black urja jab aapas
me takraate hain uss waqt unki energy multiply ho jati hai jise normal hone ke liye kuch
waqt chahiye par aisa hone se pehle hi Bhuvika unhe cross karne ki koshish karti hai jis
wajah se usse jhatke lagte hain

Beelzebub:- chalo tumhe samjh toh aaya Bhuvika ne kuch nahi kaha bas firse apni aakhen
band kar lin aur dheere dheere uska dhayan bindu uss jagah pahunchne laga jahan usse
jhatka lagta tha par iss baar jaise hi Bhuvika apni shaktiyon ki sarhad par pahunvhi wo ruk
gayi uske saamne dono taraf se uski dono shaktiyan ek dusre ki taraf badhne lagi aur kuch
hi palon me dono ek dusre me sama chuki thi dono urja ke ek dusre se milte hi urja ka
colour halka sweth halka kaala ho gaya aur wo urja se bhari ray apni jagah me uchalne
lagi maano ubal rahi ho ye sab Bhuvika ka chit dekh raha tha aur apni dono urja ko uchalte
dekh wo ye bhi samjh gayi ki wo issliye hi aage nahi jaa paa rahi thi kyu ki uski urja uss
waqt kafi asantulit thi jo khud ko theek karne ki koshish kar rahi thi aur kuch hi der me wo
asantulit urja ka uchalna dheere dheere kam hone laga aur fir wo urja sthi r ho gayi apni
urja ko sthi r hota dekh Bhuvika ka chit aage badha aur agle hi pal dhayan awashta me
hone ke baawajud Bhuvika ke chehre par halki si ek muskaan naach gayi jise saamne
khade Beelzebub ne dekh liya
Beelzebub:- (mann main) chalo ek baadha toh khatam hui Beelzebub ne raahat ki saans
chodi hi thi ki achanak uske dimag me ek dusra khayal doud gaya aur uss khayal ke doudte
hi Beelzebub ke chehre par chinta ke bhaav utpann ho gaye abhi wo kuch aur sochta ki
itne me aisa kuch nahi hoga Beelzebub ke kaano me ye awaaz gunj gayi jise Beelzebub
turant pehchaan gaya

Beelzebub:- kintu father iss bramhaand me white energy ka har shroth Vikram ke aadhin
hain Bhuvika ke white energy ko paate hi unhe sab pata chal jayega aur iska anjam acha
nahi hoga apni baaton me jaise hi Beelzebub ke mouh se Vikram ke liye usse nahi unhe
nikla apne mahal me baithe Asmodeus ke chehre par ek halki si smile aa gayi Beelzebub
ko yaad tha jo uske father ne usse uske bhai ko kis tarah se sambhodit karne ko kaha tha

Asmodeus:- maine kahanaa aisa kuch nahi hoga Beelzebub ko apne father ki baat ka
matlab toh samjh nahi aaya par wo janta tha ki agar Asmodeus ne kuch kaha hai toh wo
hoga zaroor isliye wo nischint ho gaya aur wapas Bhuvika ke chit se jud gaya

Asmodeus:- Vikram white energy ka ek louta waaris par kab tak Planet: Earth

Place: Switzerland

Switzerland earth ka sabse khubsoorat country aur couples ke liye toh shayad isse perfect
jagah koi hai hi nahi silsila se lekar ddlj tak har movie ne iss jagah ki khoobsurti ko kaid
karne ki koshish ki par koi bhi aisa karne me puri tarah se kaamiyab nahi ho paya safed
chadar ki barf se khud ko odhe hue pahad unhi pahadon ke kinaron ko chumte hue jheel
prakrutik soundaryata ke saath saath vaigyank uplabdhiyon se susajjit anek khel krida
jisne yaha aaye paryatakon ke dilon ko khudme baandh sa liya hai khair agar Switzerland
ki khubsoorati ke bare me likhne baithun toh shayad kamse kam 20 updates toh nikal hi
jayenge toh issliye yaha ki manmohakta se khudko kuch der tak alag karte hue chaliye
kahani me wapas chalte hain aahh what fresh air man Switzerland ke financial capital
Zurich ke airport se bahar nikalte hue yaha ke halke thande vatawaran ko mehsoos karte
hue yaha ke fresh air ko apni saanson se khinchte hue sabhi ne iss baat ko apne mann
main kaha hum sab Switzerland ke time ke hissab se subah 8 baje yaha land hue the
security measures ko cross karte karte ek ghanta aur lag gaya plane me safar ke dauran
Aashi aur komal ne khub masti ki thi issliye filhal dono soye hue the Aashi ko maine godh
me uthaya hua tha aur komal ko Avantika ne Aashi ko hasta khelta dekh mujhe bohat
khushi hui thi par masti sirf un dono ne hi nahi hum sab ne ki thi thodi bohat jhijhak jo
Riyansh aur Devansh ke mann main bachi thi wo bhi ab khatam ho chuki thi aur ye sab
hua meri mom ki wajah se mom ne unhe apne sage bacche ki tarah treat kiya ab wo dono
bhi khud ko hamari family ka hi hissa samjhne lage the khair hum sab saari security
measures cross karke bahar aa gaye aur bahar aate hi yaha ke mousam ki thandi hawaon
ne hamara swagat kiya

Nana ji:- kitna sundar nazara hai yaha ka? kya yaha hamesha hi thand rehti hai?

Dad:- ji papa par filhal kam hai baakji ke seasons me zyada thand rehti hai

Riyansh:- yaar Vj apne hotel ka naam kya tha? Riyansh ne apne right side me dekhne ke
baad mujhse pucha

Main:- Flor Volte

Riyansh:- wo dekho waha ek banda banner pakde khada hai jispe Flor Volte likha hua hai
hum sab ne Riyansh ki batayi jagah par dekha jahan ek banda hamare hotel ka banner
upar uthaye khada the

Ronit:- lagta hai ye hamare hotel ka guide hai hum sab uski taraf chal pade wo bhi hume
apni taraf aata dekhkar samjh gaya ki hum hi uske guests hain

Guide:- bonjour je suis votre guide ne halka sa jhuk kar apne native laguage french me
hame gesture diya aur jaise hi usne apni baat ko english me translate karne ke liyte mouh
khola

Main:- salut c'est sympa de te rencontrer hello nice to meet u maine uske translate karne
se pehle hi usse uski hi language me gesture diya jise sunkar pehle toh shocked hua par
fir khush ho gaya wahi mere dost aur mom dad ko chhod kar baaki sab mere yun french
bolne par shocked ho gaye

Guide:- ohtu sais le francias oh aap french jante hain

Main:- un peu quite a bit alors combien de temps pour arriver al hotel waise hotel
pahunchne me kitna waqt lagega

Guide:- cest soixante quinze minutes en voiture it's a seventy five minutes drive

Main:- que nous attendon sallons fir hume kiska intezar hai chalen guide ne ek taraf ishara
kiya aur chalne laga hum sab bhi uske piche piche chal diye thodi door par hi hotel ki
luxury bus khadi thi hum sab ek ek kar bus me chadh gaye kyu ki maine aur Avantika ne
bacchon ko pakda hua tha issliye hum dono last seat par jo ki zyada choudi thi waha jaakar
baith gaye bachon ko humne sidhe leta diya aur unke sar humne apni godh par rakh liye
the hamare baiththe hi bus chal padi kuch der tak hamara guide hum sab ko batata raha
ki aage ka programme kya kya hai saari cheezen sunne ke baad hum sab bahar ka nazare
dekhne me kho gaye tabhi

Shanaya:- hello everybody awaaz sunkar hum sab ne saamne dekha jahan Shanaya
madam haath me guide ki mic pakad kar khadi thi

Riyansh:- ab tujhe kya ho gaya speech deni hai kya?

Shanaya:- haha very funny jaisa ki aap sab jante hain ki hume hotel pahunchne me ek
ghante se zyada waqt lagega toh kyu naa kuch game khela jaye

Ronit:- kya tujhme Shaifali ki aatma ghus gayi hai?

Shanaya:- tune aur Riyansh bhaiya ne ek hi goli khaa li hai kya arre yaar ek ghanta kya sirf
nazare dekhkar bitana hai nazre toh hum dekhenge hi par filhal kuch game ho jaye toh
kaisa rahega

Dad:- bhai main toh khelunga aur waise bhi Anju bata rahi thi ki tum sabne Secrilla tour
par khub games khele the toh waisa hi aaj ek game hum bhi khel lenge

Nana ji:- bilkul maza aayega

Nani ji:- aap bhi naa bachon ke saath bacche ban jaate hain

Nana ji:- lo bhai khelne ki bhi bhala koi umr hoti hai kya hum toh zaroor khelenge

Mama ji:- ab papa ne keh diya hai toh fir khelna hi padega

Mom:- par pehle batao toh ki aakhir game hai kya?

Shanaya:- usse bhi pehle ek baat clear kar deti hun games me ya kisi bhi cheez me iss Vj
ko harana bohat mushkil hai toh issliye game ko aur tough karne ke liye ye ek taraf rahega
aur baaki sab ek taraf

Main:- arre kam se kam koi ek partner toh mujhe de do

Mom:- main ban jati hun teri partner

Dad:- oye kaha ki partner aap har game me hamari hi partner rahengi dad ki baat sunkar
sab hans diye

Dad:- ek kaam kar Avni aur tu ek team ho jao waise bhi dono saath hi baithe ho

Shanaya:- arre uncle ye kya kar rahe hain? wo bhi kam hoshiyar nahi hain?
Dad:- toh kya hua? hum bhi toh itne log hain

Nana ji:- toh fir tay raha Vicky aur Avni ek team me aur hum sab dusri team me

Shanaya:- theek hai par fir bhi mujhe maalum hai ki ye dono bhi sab par bhaari pedenge
issliye inke hisse me dusri team se zyada hard task rahega

Devansh:- arre pehle ye toh bata ki game kya hai?

Shanaya:- game asal me ek quiz hai jisme main aap sab ki team se ek sawal puchungi aur
Vj aur Avni ki team se ek ye silsila hotel pahunchne tak chalega hotel pahunchne tak jis
team ne zyada sawalon ke sahi jawab diye wo jeet gaya

Sab:- theek hai

Shanaya:- toh mera pehla sawal aapki team se naanu kuch mahino me 31 days hote hain
aur kuch mahino me 30 days toh ye bataiye ki aise kitne mahine hote hain jimnme 28 days
hote hain sabhi sochne lage

Dad:- hang on ye ek trick question hai 28 days har mahine me hote hain matlab saal bhar

Shanaya:- absolutely right uncle ab Vj Avni tumhara question? agar aap kisi zille ke district
magistrate hain aur aapko ye info milti hai ki do trains aapas me takra gaye hain toh aap
sabse pehle kya kare ge aur aapka reaction kya hoga? maine ek baar Avni ki taraf dekha
usne kuch kahanahi bas hans di haaye re iss ladki ki muskurahat game ka toh pata nahi
par saali ye zindagi kahi main haar naa jaaun

Main:- sab se pehle ye pata lagaunga ki wo carrier train thi (maal gaadi) ya fir passenger
train uske baad hi action lunga

Shanaya:- wow yaar absolutely right ok now second question naau ki team ke liye agar
main har aadhe ghante me apple khai hun toh 1- 30 ghante me kitne apple khaungi sab
phir sochne lage

Mom:- toh agar har aadhe ghante me khaana hai toh aadhe ghante ka gap bhi toh hua
naa

Shanaya:- kya baat hai aunty bilkul sahi ab Vj aur Avni tumhara sawal aur ye bhi apple par
hi based hai aadhe apple ki tarah kya dikhta hai? iss baar Avni ne meri taraf dekha aur ussi
ki tarah main bhi hans diya meri hasi dekh uske honton par bhi muskaan naach gayi aur
usne kaha baaki ka aadha apple
Shanaya:- bang on Avni dekha uncle maine kaha tha naa ki ye bhi bohat intelligent hai iske
baad Shanaya ne humse lagatar kayi sawal kiye par luckily naa humse koi jawab miss hua
aur naa naanu ki team se

Guide:- 5 minutes to hotel

Shanaya:- ok now ab hamare paas zyada waqt nahi bacha issliye ek final question dono
team me se jisne bhi pehle jawab diyawo team jeet jayegi so the question that actually
iss a riddle goes like this hai lekin dikhta nahi khareeden kaise jab ye bikta nahi waise toh
ye har kahi hai par iski koi fixed jagah nahi hai jo haasil karna chahega wo kho dega jo sirf
mehoos karna chaahega usse ye bhigo dega dimag lagao ge nahi pata laga paaoge khud
ke andar jhaanko jawab samjh jaaoge toh bataiye ye kya hai? naanu & team soch me padh
gayi aur ek dusre se ishare me jawab puchne lagi par har koi clue less tha wahi jab maine
Avantika ki taraf dekha toh usse aankh band kiye sochte paya ya ye kahu kuch mehsoos
karte paya jo wo mehsoos kar rahi thi wo toh maine najane kabse mehsoos kar liya tha
aur jaisa ki Shanaya ne kaha tha mehsoos karoge toh bhig jaaoge Avantika ke saath waisa
hi hua uske andar Shanaya ke jawab ki baarish hone lagi

Shanaya:- lagta hai naanu & team are clue less Vj Avni tumhe answer pata hai? Avantika
ki aankhen khul gayi usne ek baar meri taraf dekha toh mujhe apni taraf hi dekhta paya
hum dono ki aankhen mili dil machle aur dono ke lab ek saath hile jinse Shanaya ke sawal
ka jawab nikla

Hum dono:- mohobbat hum jeet gaye

Planet: Yeluptus

Place: Stormy Desert

maza aaya hahaha Bhuvika Beelzebub ki baat sunkar usse ghur ghur kar dekh rahi thi

Beelzebub:- mujhe ghurne se kuch nahi hoga Bhuvika iss badha ke bare me toh main
tumhe pehle hi bata chuka tha par tum apni hi dhun me nishchint hokar aage badh rahi
thi Bhuvika kuch der tak Beelzebub ko ghurti rahi fir uske lab hile

Bhuvika:- ek baat batao tum toh keh rahe the ki hum dono ke spirits jude hone ki wajah
se agar main tumpe waar karungi toh taklif mujhe bhi hogi toh fir abhi jab mujhe itni taklif
hui fir tum kaise bhale chunge khade ho

Beelzebub:- sirf issliye ki main thek thaak khada hun iska ye arth toh nahi ki mujhe taklif
nahi hui hai
Bhuvika:- par tumhare chehre par toh zara sa bhi dard ka bhaav nahi dikh raha hai

Beelzebub:- tumhe kya lagta hai ki bas tum hi dard seh sakti ho Beelzebub ko dard se nahi
balki dard ko Beelzebub se dar lagta hai aur main tumhari tarah laaparwaah nahi hun tum
toh besudh si meri saari baaton ko bhulkar aage badh rahi thi par mujhe gyat tha ki aage
kya hone wala hai issliye maine apne aap ko aane wale dard ke liye tayar kar liya tha

Bhuvika:- kya har baar mujhe itna hi dard hoga?

Beelzebub:- tum apne aap ko khush kismat samjho ki samay sanchalako ki urja jhelne ke
baad bhi tum zinda ho aur dhanyawad do father ka jinki wajah se aisa sambhav ho paya
hai samay sanchalakon ke sharir me basi white energy ko unki black energy apne me
lapete hue hai aur ussi ke prabhav se hi tum dhayan se bahar aa payi ho par tumhara dyan
se sakushal waapas aana iss baat ko bhi darshata hai ki ab tumhara sharir white aur black
urja ke samavesh ke liye puri tarah tayar hai ab bas zaroorat hai dhayan kendrit kar bina
dare apne lakshya ki taraf aage badhne ki apne mann se dar ko nikal apne chith ko shaant
kar aage badho Bhuvika tum apne gantavya apne lakshya tak awashya pahunchogi
Bhuvika ne ek lambi saans khich kar chhodi aur fir usne apni aakhen band kar li chaliye
jab tak Bhuvika apne next stop par pahunchti hai main aapko batata hun ki ye dono kis
bare me baat kar rahe the jaise ki aapko pata hai ki Bhuvika apni pehli baadha apni
shaktiyon ki sarhad ko cross karne me kaamiyab ho gayi aur jaise hi ye hua white aur black
urja ka dhua jo sarhad me ghum raha tha wo Bhuvika me sama gaya Bhuvika ke chith ke
raaste wo saari urja uske pure sharir me fail gayi Bhuvika ko apne andar kafi shakti
mehsoos hui aur issi khushi me uska concentration toot gaya thi toh ab bhi wo apni
shaktiyon ke maarg se judi hui hai par uska chith aage aane wali pareshaniyan ko bhool
gaya tha Bhuvika ka chith aage badhta gaya aur kuch der tak aage chalne ke baad Bhuvika
ko apne se kuch door saamne kuch dikha jise dekhkar wo chonk gayi darasal Bhuvika se
kuch door aage baadal hi baadal the par chonke ki baat sirf yahi nahi thi chonke ki baat
ye thi ki kuch baadal white colour ke the aur kuch baadal black colour ke aur dekhte hi
dekhte wo saare white aur black baadal ke dusre me samane lage aur unka colour bhi
waisa ho gaya jaisa sarhad par bichi dono energies ke milne par ho gaya tha aur aisa hote
dekh Bhuvika khush ho gayi kyu ki wo jaan gayi thi ki ye baadal asal me uski shaktiyan thi
jiska ye matlab tha ki wi apni manzil ke paas pahunch gayi hai aur ye baat jante hi wo aur
laparwaah hokar khushi khushi aage badhne lagi ki tabhi aahh aahhh baadalon ki sarhad
se pahle zamin thi aur jaise hi Bhuvika uss zamin ke paas pahunchi uss zamin ke andar se
ek white energy ki ray rassi ke roop me bahar nikli aur uss rassi ne Bhuvika ko lapet liya
aur agle hi pal uss rassi ne Bhuvika ko idhar se udhar patakna shuru kar diya teen chaar
baar aisa karne ke baad achanak aahhh ek baar firse Bhuvika ke mouh se chikh nikal gayi
aur ye cheekh issliye nikli thi kyu ki uss rassi ne khudme bijli utpann kar di thi jise uske
giraft me fasi Bhuvika ko bhi jhatke lage kyu ki Bhuvika ka dimag iss jagah se juda hua tha
issliye uske dimag se hote hue ye saare jhatke aur dard Bhuvika ke asal sharir ko bhi lag
rahe the aur jaise hi bijli ka jhatka dusri baar Bhuvika ke chith ko laga Bhuvika ke mouh se
firse cheekh nikli aur iss baar uski aakhen bhi khul gayi aur aisa hote hi uske chith me phasi
Bhuvika bhi uss rassi ke beech se gayab ho gayi Bhuvika se jude hone ki wajah se ye saari
cheeze Beelzebub ne bhi dekhi aur mehsoos ki thi aur isilye usne Bhuvika se wo saari
baatein kahi aur usse aage kya karna hai uski suggestions diye toh chaliye wapas chalkar
dekhte hain ki iss baar Bhuvika ka kya haal hota hai?

arre waah madam apna kaala saamrajya shtapit karne ke kareeb hi hain Bhuvika wapas
baadal roopi apne shaktiyon me saamne khadi thi wo dhayan se saamne zamin ki taraf
dekh rahi thi jahan se white energy ki rope bahar aayi thi par wo jagah samtal thi aur waha
par kisi bhi tarah ki koi bhi hulchal nahi ho rahi thi kuch der tak Bhuvika yunhi uss jagah
par khadi rehkar kuch guna bhaag karti rahi par fir aahh ahhh hua ye ki Bhuvika ek niskarsh
par pahunchi ki jagah se white energy ne usse lapeta tha wo uss jagah par paaon hi nahi
rakhegi aur usse pehli hi chalang laga degi aur issi irade ke saath Bhuvika ne daud laga di
aur zamin ki sarhad par pahunchne se pehle hi usne chalang laga di par isse pehle ki
Bhuvika apni shaktiyon ka sparsh kar paati zamin se energy rope tivr gati se bahar aayi
aur usne Bhuvika ko uski shakti roopi baadal ko chune se pehle hi pakad apne me lapet
liya aur fir pichle baar jaisa hi ghatna kram repeat hua par iss baar Bhuvika ke chith ko
kahi na kahi iss baat ka andesha tha Bhuvika ke chith se hote hue uss energy rope se milta
dard Bhuvika ke mastishk me samane laga jise Bhuvika ka dimag sehen karne ki koshish
karta raha par aakhir me usne haar maan li aur Bhuvika ki aankhen khul gayi Bhuvika
mouh khole lambi saanse lene lagi wahi Beelzebub uske normal hone ka wait karne laga
aur jaise hi Bhuvika ki saanse normal hui usne kuch kehne ke liye apna mouh khola hi tha
ki itne me wo chonk gaya par agle hi pal muskurane laga darasal hua ye ki apni saanson
ko durust hone ke agle hi pal Bhuvika ki aankhen punah band ho chuki thi jiska matlab tha
ki wo firse dhayan me jaa chuki thi Bhuvika ki itni prabal iccha aur dridhta ko dekhkar hi
Beelzebub ke chehre par muskaan aa gayi

Beelzebub:- (mann main) main ye toh nahi janta ki father tumse kya karwana chahte hain
par itna zaroor pata hai jo bhi kaam tumhe soumpa jayega tum usme zaroor kamiyab hogi
ye bolkar Beelzebub ne bhi apni aakhen band kar li aur Bhuvika ke chith ke saath jud gaya
wahi Bhuvika wapas apni manzil ke kareeb pahunch chuki thi zamin ko dhayan se dekhte
hue wo kuch soch hi rahi thi ki itne me usse ek awaaz sunayi di ye awaaz Beelzebub ki thi

Beelzebub:- jhatke lagenge par maroge nahi sachayi dikhegi agar apne saaye se daroge
nahi Beelzebub ki awaaz ko ya yun kahu Beelzebub ki paheli ko sunkar Bhuvika shocked
ho gayi wo Beelzebub ki paheli ka matlab samjhne ki koshish karne lagi kuch der tak
dhayan me baithi Bhuvika ke sar par soch ki silwaten tairti rahi par fir achanak jaise
Bhuvika ke dimag me bijli si koundhi aur agle hi pal Bhuvika ke mastishk se Beelzebub ki
paheli ka jawab nikla jise Bhuvika ke chith ne sun liya Bhuvika ke chith ne kisi chiz ka awaha
kiya aur agle hi pal Bhuvika ke chith ko kisi ne gher liya ye aur koi nahi wahi white energy
thi jo sarhad par Bhuvika ke andar samayi thi Bhuvika ne inhi white energy ka awaha kiya
tha aur yahi white energy hi Beelzebub ki paheli ka jawab bhi tha Bhuvika ko samay
sanchalakon ke white energy se bani rope nuksaan pahuncha rahi thi aur wo issliye aisa
kar rahi thi kyu ki Bhuvika ke andar black energy thi par Bhuvika rope numa white energy
se dar rahi thi par wo ye bhool gayi thi ki uske andar bhi white energy hai iska matlab wo
apni hi parchayi se dar rahi thi jaisa ki Beelzebub ne kaha tha issliye Bhuvika ne white
energy ka awaha kiya jisne Bhuvika ko apne daayre me lapetethe hi uske andar moujud
black energy ke lakshan ko chupa diya Bhuvika ne ek lambi saans li aur aage badh gayi aur
jaise hi wo zamin ke sarhad par pahunchi ek baar firse white energy ki rope nikli par iss
baar wo Bhuvika ko lapet nahi payi kyu ki pehle se hi Bhuvika white energy ke daayre ke
beech thi samay sanchalakon ke white energy ki rope ne ek baar Bhuvika ko ghere hue
white energy ko chua aisa hote hi Bhuvika ko ek jhatka laga par fir wo normal ho gayi wahi
wo white energy ki rope ne ek do baar aur uske saamne moujud white energy ke dhuen
ko chua aur fir gayab ho gayi rope ko gayab hota dekh jahan Bhuvika ke andar khushi ki
leher doud gayi wahi apne mastishk ko Bhuvika ke chith se jode hue Beelzebub ke chehre
par bhi ek muskaan naach gayi Bhuvika ka chith houle houle apne shaktiyon ko sparsh
karne hetu aage badh gaya par isse pehle ki Bhuvika apni shaktiyon ko chuu paati Bhuvika
ko ek aur baar zor ka jhatka laga aur usse jude hone ki wajah se Beelzebub me bhi iss
jhatke ko mehsoos kiya aur natija dono ki aankhen khul gayi par aankh khulte hi jo nazara
unke saamne tha usse dekhkar dono shocked ho gaye Bhuvika aur Beelzebub iss waqt
Yeluptus me nahi Monslickel me the Asmodeus ke mahal me Asmodeus ke saamne
Bhuvika toh sab kuch samjhne ki koshish kar rahi thi par Beelzebub turant apne ghutno
par baith gaya aur usne Bhuvika ko bhi mann hi mann baithne ko kaha Beelzebub ki baat
jaise hi Bhuvika ke dimag me gunji usse hosh aaya ki wo Asmodeus ke saamne khadi hai
agle hi pal wo bhi apne ghutno par thi par wo jaanna chahti thi ki Asmodeus ne usse apni
shaktiyon ko kyu haasil nahi karne diya jabki wo apne shakti paane ke kagaar par hi khadi
thi aur ye sawal toh Beelzebub ke mann main bhi chal raha tha issliye usne hi sawal
puchne ke liye apna mouh khola par isse pehle ki wo kuch kehta

Asmodeus:- abhi sahi waqt nahi aaya

Planet: Earth

Place: Hotel Flor Volte

hey bro yaar Anju ko dekha hai kya? uske miss calls the aur abhi main laga raha hun toh
utha nahi rahi

Main:- waah re majnu ke bhatije tujhe sirf Anju ke miss calls dikhe aur kisi ke nahi

Ronit:- nahi toh aur kisine bhi call kiya tha kya? Ronit ne ye baat typical idiot chehre ke
saath kahi thi

Main:- kaha tha yaar tu? main tujhe najane kabse miss kar raha tha ye bolkar maine Ronit
ke gaal kheech liye

Ronit:- zyada chalane ki wajah se tera dimag fuse ho gaya hai kya? kya bol raha hai?

Main:- saale jab dimag bilkul nahi lagane se tu coma me nahi gaya toh zyada lagane se
mera kaise fuse ho jayega aaj kitne time baad tu wahi purane idiot Ronit ki tarah baat kar
raha hai jise kisi chiz ka idea nahi hota tha?

Ronit:- matlab?

Main:- matlab sirf Anju ne nahi Riyansh Devansh aur Shanaya ne bhi tujhe call kiya tha par
majnu ko bas apni laila ka number hi yaad raha

Ronit:- arre wo bhai jet lag ki wajah se neend hi nahi khuli waise tere rehte sab mujhe kyu
call kar rahe the saari problems ka solution toh tere paas hota hai

Main:- abbe wo Anju ko tujhse kuch kam tha par tune uthaya nahi toh wo naraz ho gayi
aur yahi batane ke liye baaki sab tujhe baar baar call kar rahe the Ronit abhi just utha tha
aur abhi bhi kuch neend me tha par meri baat sunkar uski neend ud gayi

Ronit:- what Anju mujhse naraz ho gayi saale waise toh har time dimag me ghus kar kuch
na kuch bakwas karte rehta hai par jab sach me zaroorat padti hai toh koi sign nahi deta
tu mujhe utha nahi sakta tha

Main:- bhai main dimag me ghusta hun par tera maamla toh dil ka hai aur jab baat dil ke
maamlo ki ho toh main dimag me nahi ghusa jata
Ronit:- tu aur teri baatein kam se kam itna toh bata ki abhi Anju kaha hai aur bhai answer
sidhe sidhe dena koi puzzle na daal diyo

Main:- neeche hall me

Ronit:- chal main chala ye bolkar jaise hi Ronit bhaagne ko hua maine usse pakad liya

Main:- abbe main bhi wahi jaa raha hun chal saath chate hain

Ronit:- haan bhai chal aur sun zyada ghussa hui toh tu sambhal liyo wo teri baat zaroor
sunegi

Main:- uski tension naa le tu bas itna kariyo ki jaate saath sorry ki rat laga dena

Ronit:- abbe wo toh main karunga hi chal ab jaldi chal hum dono neeche ground floor par
hall ki taraf chal diye chaliye jab tak ye hall pahunchte hain main aapko bata deta hun ki
ab tak humne kya kya kiya hai

kal subah hotel me check in karne ke ek ghante baad hum sab breakfast karke bahar
reception me ikattha hue jahan pehle se hi hamara guide khada hua tha uske baad hum
sab sabse pehle swiss national museum gaye jahan world ke best architecture rakhe gaye
hain purane bhi aur naye bhi waha par kareeb do ghante rukne ke baad hum sab yaha ke
famous lake Zurichh gaye jahan humne kuch ek ghante tak boating ki kyu ki ye pair boating
thi matlab jisme ek saath do log hi baith sakte hain issliye hum sab pair me gaye waise toh
kaayde se Riyansh aur Devansh ko apni dono sisters ke saath baithna tha par kyu ki
Avantika komal ko aur main Aashi ko pakde hue the issliye hum dono yaha bhi saath hi
baithe iss dauran

Avantika:- kitna khubsoorat nazara hai naa

Main:- haan par filhal thoda fika lag raha hai

Avantika:- fika? kaise? maine kuch jawab nahi diya bas Avantika ki aankhon me dekhne
laga agle hi pal Avantika ke hontho par muskaan tair gayi aur wo issliye kyu ki usse uske
sawal ka jawab mil gaya tha par ye muskaan sirf khushi ki hi nahi sharm ki bhi thi issliye
Avni ne apna chehra dusri taraf kar liya aur houle houle sharmate hue muskurane lagi phir
Avni ne jaldi se khud ko normal kiya aur saamne dekhne lagi ab wo mujhse kuch keh nahi
rahi thi bas beech beech me tirchi nigahon se meri taraf dekh rahi thi ye baat main janta
tha par maine usse iss baat ka ehsaas nahi hone diya boating karte karte hum dono lake
ke beech me aa gaye the saamne se 2-2 bando ka for group hamari taraf aa raha tha ladke
ache ghar se lag rahe the par jaise hi unki nazar Avni par padi wahi theher gayi ab isme
unka bhi kya dosh upar wale ne Avni ko banaya bhi fursat se hai aur aakhir kyu naa banate
apne bete ke liye itna toh kare ge hi khair wo sab Avni ko ek tak dekhne lage jise Avni ne
bhi notice kar liya aur thodi uncomfortable ho gayi aur jaise hi usne meri taraf dekha toh
paya ki main bhi un bando ki taraf hi dekh raha hun par fir maine apni nazre ghuma li ye
dekhkar ki mujhe un bando ke usse ghurne se koi problem nahi hui Avni ka chehra murjha
gaya

Main:- what's up? chehra kyu utar gaya tumhara

Avantika:- nahi toh I’m fine

Main:- u sure

Avantika:- hmm iske baad kuch der tak hum dono ke beech koi baat cheet nahi hui main
nazare dekhne me busy tha aur Avantika kuch soch rahi thi

Avantika:- Vj ek baat puchun? mera chehra dusri taraf tha jab Avantika ne mujhe pukara
uske pukarte hi mere chehre par smile aa gayi par fir maine khudko normal kiya aur uski
taraf palta

Main:- haan pucho?

Avantika:- maan lo ki tum kisi ko chahne lage ho aur jise tum chaahte ho usse koi aur
propose kar de toh tumhe kaisa lagega? Avantika ke sawal par main kuch der uski aankhon
me dekhta raha wahi wo toh mere aankhon me hi jawab talashne ki koshish kar rahi thi

Main:- kuch nahi lagega? mera jawab sunkar Avantika shocked ho gayi

Avantika:- aisa kyu?

Main:- arre yaar mere kisi ko pasand karte hi kya wo meri personal property ban jayegi?
uski life toh ussiki rahegi naa aur waise bhi mujhe kisika propose karna kyu bura lagega
ladkiyon ko toh ladke propose karte hi hain naa?

Avantika:- aur agar usne haan keh di toh?

Main:- toh kya a sta labista bye bye alvida wo apne raaste aur main apne

Avantika:- itni aasani se tum usse rokoge nahi confront nahi karoge ki usne tumhare saath
aisa kyu kiya? maine ek lambi saans chhodi aur fir ek tak Avantika ki aankhon me dekhne
laga wahi Avantika ki aankhon me mere jawab ko sunne ki ek tadap aa gayi thi
Main:- jo mera hai wo mujhe kabhi chhod kar nahi jayega aur jo chala gaya wo mera kabhi
tha hi nahi aur jo apna naa ho uske jaaane ka kaisa afsos? jawab dekar main muskuraya
aur fir saamne dekhne laga wahi Avantika mere jawab ke bare me kuch der sochti rahi aur
tabhi sahi toh hai ye awaaz Avantika ke dil se aayi thi aur iss awaaz ke aate hi Avantika ke
chehre ki chamak wapas lout aayi aur wo muskura uthi iske baad kuch khaas nahi hua
hum sab ne boating khatam ki sabhi ke upar jet lag sawar ho gaya tha jis wajah se sabhi
thak gaye the issliye hum sab ne pehle lunch kiya uske baad wapas hotel aa gaye iss beech
meri aur Avantika ki nazre kayi baar mili jab bhi hamari nazre miltiuske chehre par kayi
expresions aa aa kar nikal jaate waise toh main janta tha ki wo mujhse kya kehna chahti
hai par main ye bhi janta tha ki abhi sahi waqt nahi aaya hai khair hotel pahunchne ke
baad sabhi apne apne room me jaakar ludak gaye Anjali aur Ronit baakiyon ke mukalble
bilkul nahi thake the issliye hum teeno shaam ko ghumne bahar nikal gaye jahan humne
bohat se adventure sports khele waise toh iske baad bhi wo dono nahi thakte par kyu ki
dono ne mere saath khela tha issliye dono ke upar thakawat bhari ho gayi aur jab tak hum
wapas pahunche tab tak dono bhi baakiyon ki hi tarah susth padh gaye the aur issi tarah
kal kaa din nikal gaya aur aaj ka hamara schedule kuch alag hai hum sab young log hi hotel
me hain senior citizens Zurich darshan pe gaye hue hain darasal aaj wahi din hai jiski wajah
se hum sab yaha par aaye hue hain mere mom dad ki marriage anniversary subah uthte
hi maine dono ko wish kiya aur aaj ke programme ke bare me un dono ko bata diya aaj
hum sab youth brigade ko hotel me rehkar hall ko sajana tha issliye senior party were not
allowed to stay breakfast ke baad sabhi seniors bahar chale gaye the wahi jet lag ki wajah
se Ronit bhai sahab ki neend aaj thodi late se khuli aur uske baad kya hua wo toh aap
jante hi hain khair hum dono jaldi se hall ki taraf pahunche ya ye kahu Ronit mujhe
khinchta hua le aaya aur jaise hi hum hall me enter hue toh humne dekha ki saari bandiyan
hotel staaf ko instructions de rahe the aur Riyansh aur Devansh bhi hotel staaf ke saath
milkar sab kuch set kar rahe the

Ronit:- Anju I’m so sorry yaar wo darasal jetlag ki wajah se aankh hi nahi khuli please yaar
maan jaa na tu toh janti hai naa ki main tera phone kabhi avoid nahi karta par neend me
tha toh kar bhi kya sakta tha Ronit Anjali ke paas pahuncha aur uske dil me jo aaya wo
bakta gaya bina ye dekhe ki Anjali usko shocking looks dekar dekh rahi hai aur isse pehle
ki Anjali apna mouh kholti thodi si acting karle ye awaaz Anjali ke kaano me gunj gayi jo ki
meri thi Anjali ne meri taraf dekha toh maine usse aankh maar di pehle toh Anjali ne mann
main naa kaha par jab maine usse aankh dikhayi toh wo maan gayi

Ronit:- yaar kuch toh bol


Anjali:- nahi tum meri bilkul care nahi karte neend nahi khuli pata hai naa ki aaj uncle
aunty ki marriage anniversary hai kya tumne unhe wish kiya nahi tumhe kisiki parwah nahi
hai

Ronit:- aisa mat bol yaar kasam se yaar meri neend hi nahi khuli warna aisa kuch nahi hota

Anjali:- just dont talk to me ye bolkar Anjali ne apna chehra ghuma liya wahi baaki sab
hairan pareshan kabhi Ronit ko dekhte toh kabhi Anjali ki taraf aur tabhi Avantika ki nazar
mujhpe gayi aur wo sab samjh gayi maine bhi uski taraf dekha usne mujhe aankhon se hi
ghussa dikhaya aur saala main fir baazi haar gaya

Main:- (mann main) bohat hua dekh Ronit ki shakal rone jaisi ho gayi hai meri awaaz
sunkar Anjali turant palti aur jab usne Ronit ka murjhaya chehra dekha toh usse uspar
bohat pyar aaya Anjali jhat se Ronit ke gale lag gayi

Anjali:- sorry baby main tumse koi naraz nahi hun ye toh mujhe Vj ne aisa karne ke liye
kaha tha Anjali ki baat sunkar Ronit shocked ho gaya par filhal wo Anjali ke gale hi laga
raha ab bhala koi apne mehboob ke baahon se bhi juda hona chahega bhala par kehte
hain naa all good things also have to end aur jaise hi dono pyar ke panchiyon ka gale milne
ka time off hua

Ronit:- kamine main tujhe nahi chhodunga ye bolkar Ronit mere piche bhaga par kuch hi
der me waha khade sabhi shocked ho gaye aur wo issliye kyu ki main bas 10 ya 20 metre
ke range me hi idhar udhar doud raha tha iske baawajud Ronit mujhe pakad nahi paa raha
tha par fir main ek jagah ruk gaya aur mere rukte hi Ronit ne mere upar chalang laga di
par jaise hi ye hua main halka ja hat gaya aur agle hi pal main Ronit ko peeche se jakda
hua tha Ronit chhutne ki bohat koshish kar raha tha par aisa hua nahi aur aakhir thak haar
kar

Ronit:- theek hai theek hai kuch nahi karunga chhod mujhe saala bhul gaya tha ki kisse
jhuth bol raha hai mujhe pata tha ki mere usse chhodte hi turant mujhpar jhaptega issliye
maine usse saamne halka sa jhatka diya par saali gadbad ho gayi par uss gadbad ka anth
bohat khoobsurat tarike se hua hua ye ki jaise hi maine Ronit ko jhatka diya jhatke ka
pressure zyada hone ki wajah se Ronit disbalance ho gaya aur dagmagate hue saamne ki
taraf badha aur thek ussi waqt Avantika bhi mere paas aane ke liye aage badhi thi Ronit
ko yun apni taraf unbalanced tarike se aate dekh wo bhi dar gayi aur usne apni aankhen
band kar lin wahi Anjali right side se aage badh rahi thi jaise hi maine dekha ki Ronit
Avantika se takrane wala hai main tezi se aage badha aur agle hi pal mere left haath ne
Ronit ke left shoulder ko halka side se jhatak diya jise Ronit ki disha change ho gayi aur
wo apne right ki taraf palat gaya jahan se Anjali aa rahi thi par Anjali jaise tayar si thi Ronit
ke uske paas aate hi usne usse thaam liya wahi Ronit ko jhatka dene ke baad mera sharir
thoda aage badh gaya aur agle hi pal Avantika mere baahon me thi aur pata nahi kaise
mere usse chhute hi Avantika ne mere sparsh ko pehchaan liya aur uske mann se awaaz
aayi Vj awaaz ke aate hi usne aakhen khol di aur mere aankhon me dekhne lagi wahi maine
jaise hi Avantika ko baahon me liya hum dono ke body neeche girne lage main chahta toh
hum dono ko girne se rok sakta tha aur main rokne bhi wala tha ki tabhi meri nazre
Avantika ki nazro se takrayi jo iss waqt meri aakhin me hi khud ke aks ko talaash rahi thi
aur main bhi Avantika ki aankhon ki gehrayi me doob sa gaya aur jab hum hi doob gaye
toh girne se bach ke kya faayda hum dono ke sharir ek dusre se jude hue the aur issi tarah
hum dono tezi se neeche gir rahe the par mere aur Avantika ke liye toh jaise waqt tham
sa gaya tha hume aisa lag raha tha maano waqt ne apni raftar dheemi kar di hai aur hum
dono dheere dheere niche floor ki taraf jaa rahe the maine hawa me hi khud ko palta liya
taaki Avantika ki body floor se naa takraaye aur agle hi pal hum dono floor par the kyu ki
Avantika ki body mere upar thi issliye usse kuch mehsoos hi nahi hua wo ab bhi ek tak
mere aankhon me dekh rahi thi aur tabhi uske lab hile

Avni:- meri tanhayi me bhi hai meri mehfil me bhi hai jo baat teri aakhon me hai kya wo
tere dil me bhi hai

Main:- jo tera hai tujhe mil hi jayega bas aitbaar rakhna ikraare wafa ka waqt nazdeek hai
labon ko tayar rakhna

thek ussi waqt Monslickel me:

Asmodeus:- jitna hasna hai hans le ye waqt lout kar nahi aayega insaniyat se haiwaniyat
jab takrayegi tera kamaya sab kuch khatam ho jayega

Planet: Earth

Place: Hotel Flor Volte

ladies & gentle mann plz put ur hands together for the best couple ever Jairaj uncle &
Minu aunty Anjali ke mom dad ke naam announce karte hi party hall ki puri lighting pehle
10 second ke liye off ho gayi 10 seconds baad party hall ki entrance par ek flash light padi
jiske beech iss waqt mere mom khade the dad was wearing a brioni three piece siut jisme
wo ekdum dapper lag rahe the wahi mom ritu kumar (designer) ki design ki hui red saari
me kisi riyasat ki maharani se kam nahi lag rahi thi iss section ke intro part se hi aap sab
samjh gaye honge ki jis reason jis wajah se hum sab Switzerland aaye thewo din aur agar
exact words use karuntoh wo shaam aa gayi hai subah ki hamari shuruat kis tarah se hui
wo toh aap sab jante hi hain khair uske baad masti vagairah toh din bhar chali par normal
way me iss dauran Avantika aur meri nazre kafi baar mili honton se toh sabhi muskurate
hainpar aakhon se muskurana kitna hasin dikhta haiye maine Avantika ke ankhon me
jhank kar jana khair issi tarah ek dusre se masti karte kab saara kaam khatam hua pata hi
nahi chala seniors kareeb shaam ke 5 baje wapas loute par unme se kisiko bhi hall me
ghusne ki permission nahi thi issliye sabhi apne apne kamre ki taraf chal diye aur sharp 7
pm ko sabhi ready hokar hall me aa chuke the guests ke taur par dad ne yaha ke kuch
Indian businessmen ko bulaya tha aur wo sab bhi on time aa chuke the mom dad ki entry
humne sabse aakhir me rakhi thi after all ye un dono ki shaam thi saari tayariyan ko re
check kar maine Anjali se mom dad ko bulane ko kaha jise sunkar wo khush ho gayi aur
uske aage kya huaye main already likh chuka hun flash light ke yun suddenly apne upar
padne par mom kuch nervous si ho gayi par agle hi pal unki nervousness khatam bhi ho
gayi aur wo issliye kyu ki mom ke nervous hote hi dad ne mom ka haath thaam liya tha
dad ke haath thaamte hi mom ne dad ki taraf dekha toh unhe apni taraf dekh muskurata
hua paya dekhne walon ke liye ye bas ek muskurahat thi par mom dad ke muskan ke piche
khamoshi se kahi gayi saari baatein pehchaan gayi thi dad ne muskurate hue bina kahe hi
mom ko bharosa dila diya tha ki unke rehte mom ko nervous hone ki zaroorat nahi hai aur
dad ka mom ke haatho ko mazbooti se thaamna unka bin kahe kiya gaya mom se waada
tha ki ye haath ab zindagi ke saath hi chhutega usse pehle nahi aur ye bharosa aaj ka nahi
tha ye bharosa tabse tha jabse dad ne mom ka haath pehli baar thaama tha dad ke haath
thaamne aur apni taraf dekhkar muskurane se mom ke chehre par dikh rahi nervousness
gayab ho gayi aur uski jagah confidence ne le li aur ussi confidence ko carry karte hue
mom aur dad aage badhe par agle hi pal dono chonk gaye aur wo issliye kyu ki unke aage
badhte hi unke upar gulaab ki pankhiudiyan girne lagi thi

Main:- come on dad come on on mom come up mom dad apne upar baraste phool ko
mehsoos kar hi rahe the ki maine dono ko awaaz di awaaz sun dono hi aage badhne lage
aur kuch hi der me dono stage par the jahan hamari puri family with friends pehle se hi
khade the

Anjali:- so love birds sabse pehle toh hum sab ki taraf se once again a very happy marriage
anniversary Anjali ne chillate hue ye baat kahi

Anjali:- aur isse pehle ki aapko yaha aaye saare guests badhayi denaap dono ke liye ek
task hai
Mom/ Dad:- task?

Anjali:- ghabraiye mat bohat easy hai toh task ye hai ki aap dono ne akele me toh kayi
dafa ek dusre ko propose kiya hoga par aaj aap dono ko yaha stage par sabke saamne ek
dusre ko I love u kehna hai jahan Anjali ki baat sunkar hum sab yes yes ki chant karne lage
wahi mom ki haalat kharab ho gayi

Mom:- main ye sab nahi kar sakti

Anjali:- oh come on aunty be a sport aur waise bhi aapko kisi aur se nahi apne husband
ko hi toh kehna hai mom ne kuch nahi kaha bas naanu aur nani ki taraf hume ishara karne
lagi jise hamare saath saath naanu ne bhi dekh liya

Nana ji:- arre gudiya humse sharmane ki koi zaroorat nahi hai

Ronit:- aur nahi toh kya? come on aunty just go for it Ronit ke baad sabhi mom ko chear
up karne lage par mom ab bhi nervous thi

Main:- dad aap toh pehle bolo maine dheere se dad ke kaan me bola

Dad:- arre yaar main toh bol dunga par agar teri mom nahi boli toh bekaar me sabke
saamne mera kachra ho jayega dad ki baat sunkar mujhe hasi aa gayi

Main:- dad mom ka mom ko decide karne do aa pehel toh karo dekhna mom ki
nervousness bhi khatam ho jayegi dad ne ek lambi saans chhodi aur apni baat rakhi

Dad:- Minu jin 7 feron ki kasam ko aaj tak hum dono nibhate aa rahe hainussi kasam ki
kasam khakaar sabke saamne main kehta hun ki I love u dad ne apni baahein faila kar apni
baat kahi unhe laga mom unki baahon me sama jayegi par mom ne toh sharm se apna sar
neeche kar liya

Main:- mom plzzz mere plz kehte hi mom ne jhat se ek baar meri taraf dekha aur mujhe
dekhne ke baad unho ne dad se

Mom:- I love u too mom ne ye dheere se kaha par hum sab ne sun liya tha mom izhare
ishq karte hi dad ki baahon me chhup gayi wahi hum sab ek baar firse hooting karne lage

Dad:- aaj bete ne bacha liya warna sach me sabke saamne mera kachra ho jana tha dad
ne dheere se apni baat kahi jise mom aur maine sun liya jahan main ye sab sunke hans
diya wahi mom ne dad ke chest par ek halka mukka maara khair iske baad sabhi guests ek
ke baad ek stage par aaye aur mom dad ko wish kiya buffet system tha issliye saare guests
khud hi khud ko serve karne lage saare guests khaana khaa rahe the par hamari family
abhi bhi stage par hi thi

Dad:- papa chaliye khaana khaa lete hain

Nana ji:- haan thek hai chalo

Dad:- baccho aap sab bhi dinner kar lijiye

Main:- ok dad abhi hum sab stage se utar hi rahe the ki itne me Aakash uncle jo ki kisi se
phone par baat kar rahe the call khatam karke hamare paas aaye aur dad ko side me
lejaakar unse kuch kaha dad aur uncle ko wahi chhod hum sab stage se niche aa gaye aur
tables par baith gaye seniors alag tables par baithe aur hum sab friends alag table par
waise toh buffet system ke hisaab se hum sab ko food counter par jaakar khaana lena
chahiye tha par hamari family ke liye alag se arrangements ki gayi thi waiters aakar
hamara khaana serve karne lage hum sab baat kar hi rahe the ki itne me dad ne mujhe
aawaz di

Main:- ya dad whats up?

Dad:- beta next week Singapore se ek party aane wali thi meeting ke liye par ab wo parso
hi aa rahi hai toh mujhe aur tere dono uncles ko jana padega toh kaise karna hai? tum log
bhi saath chaloge ya fir kuch din aur yaha rukoge

Main:- dad hum yaha aapke aur mom ke marriage anniversary ke liye aaye the jo humne
celebrate kar li ab ruk kar kya faayda exams ke baad hum sab fir kahi holiday par chale
jayenge

Dad:- theek hai fir apne saare frndz ko batade kyu ki hume kal early morning nikalna hai

Main:- ok dad ye bolkar main wapas apne table ki taraf chal pada aur waha pahunch
maine sabko bata diya ki hum kal hi nikal rahe hain wapas jane ke naam se sab thoda sad
toh the hi par zyada nahi haan par mere dono frndz kuch zyada hi sad the aur wajah bhi
valid thi yaha se jane ke baad main Isla jo jane wala tha aur wo bhi unke bina par ye baat
toh maine pehle hi clear kar di thi issliye maine dobara unse iss bare me baat karna sahi
nahi samjha

Avantika:- kaha chali tu? Anjali ko apne chair se uthte dekh Avantika ne kaha

Anjali:- hand wash karke aati hun

Avantika:- chal main bhi chalti hun


Anjali:- chal dono girls wash room ki taraf chal diye

Avantika:- kya hua babe tu sad lag rahi hai kyu ki Avantika ko ab meri sachayi pata thi
issliye Anjali ne usse sach keh diya

Anjali:- kuch nahi yaar wo Vj Isla jane wala hai naa issliye thoda mood off hai

Avantika:- Isla

Anjali:- arre tu Gluto me Alesendra naam ki ladki se baat nahi kar rahi thi ussi ke planet
me

Avantika:- ohh haan yaad aaya toh isme sad hone ka kya hai? tum dono bhi toh uske saath
jaaoge naa?

Anjali:- wahi toh akela jaa raha hai iss baar aur jab reason pucha toh kehta hai ki baad me
bataunga iske baad Avantika ne kuch nahi kaha par najane kyu usse ek gabrahat si hone
lagi aur jab dono wapas aayi toh Avantika ki nazar lagatar mujhpar hi thi waise toh mujhe
uski nazar aur nazar ke peeche ka sawal gabrahat sab kuch pata tha par maine usse kuch
nahi pucha jab bhi wo meri taraf dekhti main bhi usse dekh halka sa muskura deta issi
tarah hum sabka dinner khatam hua dad ne ek baar firse waha aaye sabhi guests ko thanks
kaha fir sabko hall ke entrance par see off karne ke baad hum ab apne apne rooms me
chale gaye aur issi tarah hamara Switzerland trip ka unexpected last day khatam hua khair
next day hum sab early morning hi uth gaye aur ready hokar airport pahunch apni plane
me baith home sweet home ki taraf ud chale home sweet home jahan pahunchne ke baad
mujhe fir kahi nikalna tha par mujhe nahi maalum tha ki ye safar meri zindagi ke saath
saath aur bhi bohat kuch badalne wala hai

Planet: the World of Warriors Place: Training Ground

jab tak rakht aur pasina ek dhaar aur ek gati se naa bahne lage samjh jana ki tum tayar
nahi hue ho sharir thake toh thake par apne lakshya ko prapt karne se pehle tumhari
aatma nahi thakni chahiye kyu ki aatmik bal se hi sharirik thakawat ko haawi hone se roka
jaa sakta hai

subah ka waqt hai jab se Akshaant aur Mokalsar ko Warriors World ke sainikon ke yudh
koushal ko nikharne ka daayitva diya gaya hai tabhi se ye dono milkar Warriors World aur
unke saath hi kuch Isla ke pramukh sainikon ko kathin prashikshan de rahe hain Isla ke jo
pramukh sainik yaha Mokalsar aur Akshaant se prashikshan le rahe hain wo sainik har din
prashikshan ke baad world door se wapas Isla jaakar apne sainkon ko wahi prashikshan
dete hain

Mokalsar:- kya aap sab Lord of Angels se milna chaahte hain Mokalsar ki baat sunkar sabhi
sainik bohat khush ho gaye aur sabhi ne ek saath haan ki hunkaar laga di

Mokalsar:- bohat jald wo yaha aane wale hain aur hum dono chahte hain ki unke aane se
pehle aap sab tayar ho jayen aur apne grah ko wapas uski purani garima loutayen hum
dono nahi hum teeno ye awaaz Mokalsar aur Akshaant ke piche se aayi thi jise sunkar
dono piche palte aur apne peeche khade shaksh ko dekhkar dono ke chehre khil uthe

Dono:- Shaila dono ye kehkar aage badhe aur dono ne baari baari Shaila ko hug kiya sabse
pehle Mokalsar ne kiya aur jab Akshaant ki baari aayi toh usne Shaila ko apni baahon me
chupa sa liya Akshaant aur Shaila dono ki hi aakhen band ho gayi dono ek dusre ko andar
tak mehsoos karne me mashroof ho gaye dono me se kisi ko iss baat ka bhi khayal nahi
raha ki Shaila ke saath Lord Crusedar bhi khade hain

Mokalsar:- bas karo yaar ab ek dusre me sama kar hi dum loge kya? kamse kam maharaj
ka toh khayal karo Mokalsar ki pehli line ko toh Akshaant ne ek kaan se sunkar dusre kaan
se nikal diya tha par dusri line me jaise hi Mokalsar ne Lord Crusedar ka zikr kiya toh
Akshaant jhat se Shaila se alag ho gaya jab usne apni right taraf dekha toh paya ki Lord
Crusedar un dono ko hi dekhkar muskura rahe the

Akshaant:- shama kare Lord Crusedar main aapko dekh nahi paya

Lord Crusedar:- koi baat nahi putra mujhe toh tum dono ke aalingan ke beech chupe prem
ko dekhkar bohat khushi hui mujhe kal hi Shaila ne iss baat se awgat karaya ki tum dono
ek dusre se prem karte ho aur ye jaankar mujhe bohat prasannata hui waise aaj ka
prashikshan samapt hua ya nahi

Akshaant:- abhi kuch der aur baaki hai

Lord Crusedar:- aaj ke liye rehne do mujhe ek mahatva purna ghoshna karni hai aur tum
teeno ka bhi uss waqt mere saath rehna anivaarya hai

Akshaant:- jaisa aap kahe Lord aur fir Akshaant ne sabhi sainkon ko aaj ke liye chuthi de
di jise sunkar sainikon ki bhi jaan me jaan aayi kyu ki Akshaant aur Mokalsar ne un sabhi
ke saare anjar panjar dheele kar diye the sab ko aaj ke liye awkaash dekar Akshaant Shaila
aur Mokalsar Lord Crusedar ke saath mahal ki taraf chal diye

In Palace
Lord Crusedar:- aaj hum aap sab ke samaksh ek zaroori ghoshna karne wale hain sabha
me aane se pehle hi unhone apne mantri se sabhi sabha sadon ko sabha bhavan me
ekatrit hone ke liye keh diya tha sabha me pahunchkar Lord Crusedar ne apni raaj gaddi
ke saamne khade khade ye baat kahi Mokalsar Akshaant aur Shaila unke baaju me hi
khade the ya fir ye kahu Lord Crusedar ne teeno ko apne paas khade hone ke liye kaha
tha teeno ki bhi utsukta ab badhne lagi ye janane ke liye ki aisi kaun si baat hai jo Lord
Crusedar unki moujudgi me hi kehna chahte hain

Lord Crusedar:- par ghoshna karne se pehle main aap sab ko Shaila se milana chahunga
joki Gluto ki nayi raani hain aur jinhe maine apni putri maana hai ye kehkar Lord Crusedar
ne apna haath Shaila ki taraf badha diya jo Akshaant ke baaju me khadi thi Lord Crusedar
ki baat sunkar Shaila ki aankhen bhi bhar aayi akele me kisiko apna putra ya putri kehna
koi badi baat nahi hai par sabhi ke beech jab Lord Crusedar ne Shaila ko apni putri kehkar
sambhodit kiya toh Shaila ka mann khushi se jhum utha jis ladki ne saari zindagi ek anaath
bankar guzari ho uske liye yun achanak ek pita mil jana bohat badi baat thi Shaila apne
naino ko bheegoye hue Lord Crusedar ka haath thaam unke paas khadi ho gayi Akshaant
aur Mokalsar bhi Lord Crusedar ki baat sunkar bohat khush ho gaye the wahi Lord
Crusedar ke Shaila ko apni beti kehkar sambhodit karte hi sabha me moujud sabhi Shaila
ke naam ki jay jay kaar karne lage Lord Crusedar ne apna haath upar kar sabko shaant
hone ko kaha jispe sabhi shaant ho gaye

Lord Crusedar:- maine ye sabha aap sabhi ko apne uttari dhikari se milane ke liye rakhi
hai Lord Crusedar ki baat sun pehle toh sabhi chonke par fir khush bhi ho gaye

Lord Crusedar:- aur ek baat uttar adhikari ek nahi balki do hain aur wo dono aur koi nahi
Akshaant aur Mokalsar hain jahan apna naam sunkar Akshaant aur Mokalsar shocked ho
gaye wahi saare sabha bohat khush the aur sabhi apne dono naye yuvrajon ki jay jaykaar
karne lage

Akshaant:- Lord Crusedar ye sab?

Lord Crusedar:- lord nahi pita ji kaho putra maine tum dono ko apna putra maan kar ye
faisla liya hai ab tum dono bhi mere do putron ke roop me hamare grah ke yuvraj ka pad
swikar karo

Mokalsar:- aapne hume iss layak samjha yahi hamare liye kisi unch pad se kam nahi hai
pita ji Mokalsar ke mouh se pita ji sunkar Lord Crusedar bohat bhaavuk ho gaye Mokalsar
ke baad Akshaant ne bhi unhe pitah kehkar sambhodit kiya jise unka seena aur phool gaya
Lord Crusedar:- hamare pariwar ki hatya ke baad humne toh socha tha ki hamara jeeven
ab niras ho gaya hai par dekho aaj hume hamara ek naya pariwar mil gaya hai aur ye sab
Lord of Angels ki wajah se hi sambhav ho paya hai unhe ek baar saamne se bhet kar unhe
dhanyawad karne ko mann vichlit sa ho utha hai abhi Mokalsar Shaila aur Akshaant me se
koi kuch kehta ki tabhi do diwas aur main aa raha hun ye awaaz mere teeno doston ke
kaano me gunj uthi jise sunkar unke chehre khil gaye aur jab ye baat unhone Lord
Crusedar ko batayi toh unke bhi khushi ka koi thekana nahi raha

Lord Crusedar:- do diwas hamare paas zyada waqt nahi hai hume aaj aur abhi se unke
swagat ki tayari karni hogi fir sabhi mere swagat ki tayariyon me lag gaye

Planet: Isla Place: Grah Setu

ye dekhiye maharaj yahi hai hamare grah Setu ka pravesh dwaar par jis raaste ko Defender
grah Setu ka raasta bata rahe the usse dekhkar king Solomon shocked ho gaye

subah ka waqt hai grah Setu ke nirmaan ka kaam khatam ho chuka hai aur jaise hi ye baat
king Solomon ko pata chali unhone Defender se ek baar grah Setu ko dekhne ka nivedan
kiya aur iss waqt Defender aur king Solomon jaisa ki Defender ne bataya grah Setu ke
pravesh dwar ke saamne khade the par king Solomon ke chonke ki wajah ye thi ki unke
saamne dwar jaisa kuch bhi nahi tha iss waqt Defender aur king Solomon jungle ke beech
me the aur king Solomon ke saamne ek bada sa ped tha

King Solomon:- kintu Defender yaha toh kuch bhi nahi hai

Defender:- aapke saamne aapko jo ped dikh raha hai uske seedh me khade ho jayiye aur
jaise hi king Solomon ped ki seedh me khade hue uss ped ke beecho beech roshni ubhri
aur dekhte hi dekhte uss ped ke beech me se ek raasta nazar aane laga grah Setu ka
pravesh dwar itna bada tha ki ek saath 100 log bhi uske andar ghus sakte the

King Solomon:- adbhudh

Defender:- ye ped hi hamare grah Setu ka pravesh dwaar hai theek aisa hi dwar Isla me
bhi hai iss grah Setu ki ek khaas baat yeh bhi hai par wo kya hai ye main nahi aapko Lord
of Angels batayenge

King Solomon:- ab toh kafi waqt guzar chuka hai grah Setu bhi ban kar tayar hai Lord of
Angels kab aayenge? tabhi do diwas aur main aa raha hun ye awaaz Defender ke kaano
me gunj uthi jise sunkar Defender ke chehre par ek chamak aa gayi aur jaise hi mere aane
ki baat Defender ne king Solomon ko batayi unke chehre par bhi chamak aa gayi
King Solomon:- do diwas bohat kam waqt hai hamare paas Lord of Angels ke swagat ki
tayari karne ka Defender agar aapki ijazat ho toh kya hum jaa sakte hain? Defender ne
haan me sar hilaya king Solomon ne apna sar punah ek baar Defender ke aage jhukayea
par jaise hi unka sar upar hua Defender jaa chuke the king Solomon bhi apne mahal ki
taraf nikal gaye thek ussi waqt

Planet: Monslickel Place: Palace

Asmodeus:- mangal ke din shani sawaar hogi aisa pehli baar hoga jab manzil par
pahunchne ke baad haar hogi

Planet: Earth Place: Coffee House

wow yaar tum teeno toh actually whats that word haan langoutiya frndz ho ye words
Riyansh ke mouh se nikle the jise sunkar sabhi muskura diye par ye muskurahat do alag
alag groups me alag alag feelings ke saath divided thi ek group me the Avantika Devansh
aur Shanaya jinki muskurahat sacchi thi aur dusre group me the mere dono frndz Anjali
aur Ronit jinke chehre par fake muskaan thi aur ye fake smile Avantika se nahi chhup payi

Shaam ka waqt hai fog ki wajah se hamara plane thoda late se take off hua tha jis wajah
se hum sab kal late night wapas Mumbai land hue the ek baar fir se jet lag ne sabko apna
shikar bana liya tha issliye din bhar sab sote rahe aur shaam ko Shanaya ne Coffee House
me milne ka plan banaya jise sabne ok kaha aur kuch hi der pehle mere saare frns yaha
coffe house me ikattha hue par hamarre group me ek banda missing tha aur wo main tha
aur iski wajah thi Isla main aaj raat hi Isla ke liye nikalne wala tha issliye usse pehle main
apna baaki ka time family ke saath spend karna chahta tha waise toh Anjali aur Ronit ko
bhi iss waqt mere saath rehna chahiye tha par kyu ki mere akele jane se dono kuch zyada
hi upset the iissliye nahi aaye par yaha aate hi Riyansh ne un dono se hum teeno ki
friendship ke bare me hi sawal puch liya jiska jawab dene ke baad se hi dono bas upari
taur par hans rahe the par andar se sad the aur issi sadness ko Avantika bhaamp gayi par
wo Anjali aur Ronit ki tarah mind to mind baat toh kar nahi sakti thi issliye usne apna
phone nikala Anjali ko sms kiya Anjali ne apna cell haath me hi pakda hua tha issliye mobile
vibrate karte hi usne msg open karke dekha jo Avantika ka hi tha

Avantika:- (sms) what happened? udaas kyu hai? Anjali ne Avantika ka sms toh padha par
sms se jawab dene ke bajaye usne Avantika ke mind me apni baat kahi

Anjali:- Vj aaj jaa raha hai? dhakk aisi hi kuch awaaz Avantika ko apne dil me sunayi di uska
dil zoro se dhadka par wajah usse samjh nahi aayi Avantika ab Vj ki sachayi se waakif thi
usse ye bhi pata tha ki Vj ka aise safar me jana bohat normal si baat hai par in sab ke
baawjud Avantika ka mann bechain ho utha aur ye bechaini khatam hone ki jagah badhti
hi chali jaa rahi thi Avantika ko samjh me nahi aa raha tha ki uske saath aisa kyu ho raha
hai aur jab usne khud se hi jawab maanga toh Avantika ke andar meri taswir ubhar aayi
jise dekhte hi uski bechaini kuch kam ho gayi par uski bechaini puri khatam nahi hui thi

Avantika:- (mann main) mujhe Vj ke jane se pehle ek baar usse milna hai kyu? ye sawal
bhi Avantika ke dimag me koundha par iss bina jasbaaton wale dimag ko kaun samjhaye
ke dil ke maslo me sawal nahi kiye jaate bas faislon par vishwas kar unme amal kiya jata
hai par Avantika turant uth kar toh jaa nahi sakti thi isliye usne kuch der intezar karna hi
behtar samjha mere saare frndz kuch ek ghante tak wahi baithe rahe aur jab sab kal milne
ka bol coffe house se bahar aaye toh

Avantika:- bhaiya mujhe kuch kaam hai aap sab jaaiye main aati hun

Shanaya:- abhi raat ko kya kaam hai? chal main bhi chalti hun?

Avantika:- arre nahi yaar main aa jati hun tu bhi bhaiya ke saath ghar nikal

Shanaya:- cool babes jaldi aana Avantika ko akele ghumna bohat acha lagta tha issliye
Shanaya ne bhi zyada gour nahi kiya aur apne dono bhayiyon ke saath nikal gayi Ronit aur
Anjali ke nikalte hi Avantika bhi Vj ke ghar ki taraf nikal gayi

Place: Menakshi Mansion

namastey aunty

V/Mom:- arre Avni beta aao aao aaj raat ko yun achanak every thing allright naa

Avantika:- ya ya aunty every thing iss fine wo actually main shaam ko hi aane wali thi par
kuch kaam ki wajah se thodi late ho gayi waise Vj kaha hai aunty? mujhe saamne naa
dekhkar Avantika ki bechaini fir se badhne lagi thi usse lag raha tha ki main chala gaya

V/Mom:- apne room me hai abhi just dinner karke gaya hai dinner se yaad aaya aao tum
bhi dinner kar lo

Avantika:- no no aunty actually ghar me sab dinner par mera wait kar rahe hain toh next
time pakka

V/Mom:- chalo thek hai jao tum Vj se mil lo mom ko thanks bol Avantika mere room ki
taraf nikli uski bechaini abhi bhi khatam nahi hui thi kyu ki wo janti thi ki agar main chala
bhi jaaun toh bhi mera dummy yaha ghar par moujud hoga knock knock
Main:- come in mere bulane par Avantika andar aayi

Main:- hey Avantika whats up? par Avantika ne mujse kuch kahanahi bas mujhe ghur ghur
kar dekhti rahi

Main:- arre main Vikram hi hun mera dummy nahi mere confirmation ke baad Avantika
thodi si relaxed hui

Main:- ab kuch bologi bhi tum yaha iss waqt kaise?

Avantika:- wo Anju ne mujhe bataya ki tum abhi hi Isla ke liye jaa rahe ho

Main:- haan yahi bolna tha?

Avantika:- nahi wo actually

Avantika:- (mann main) ab isse kaise kahu ki main bhi saath aana chahti hun

Main:- thek hai fir main chalta hun

Avantika:- kya main bhi saath chal sakti hun maine jaise hi apni line boli Avantika ne jhat
se apne dil ki baat keh di

Main:- chalo mera jawab sun kar Avantika ko ek jhatka laga aur aisa toh hona hi tha kyu
ki maine Ronit aur Anjali tak ko mana kar diya tha apne saath aane ke liye par Avantika ko
ek baar me hi haan keh diya tha par mere jawab ko sunkar Avantika itni khush ho gayi thi
ki usne apne saare thoughts ko side kar diya

Avantika:- sach?

Main:- apna ek baal do Avantika pehle toh meri baat ka matlab nahi samjhi par fir achanak
usse sab samjh aa gaya Avantika ne jhat se apne sar ka ek baal todkar mujhe de diya tab
tak maine bhi apne sar ka ek baal tod liya tha dono baalon ko maine ek saath apni mutthi
me masla aur zamin par fek diya kuch hi palon me hum dono ke saamne hamare clones
the fir mera clone Avantika ke clone ko chhodne bahar chala gaya

Main:- jane se pehle main tumhe kuch batana chahta hun Avni par usse pehle mera ek
sawal hai?

Avantika:- Vj ka sawal tab toh pakka bohat tough hoga but I’'ll try to answer pucho? par
jab maine Avantika ke saamne apna sawal rakha toh usne naa me apna sar hila diya
Avantika ko mere sawal ka jawab nahi pata tha usse hi kya iss bramhaand me God aur
mujhe chhodkar shayad kisi ko bhi mere puche gaye sawal ka jawaab nahi maalum tha
par jaise hi maine Avantika ko apne puche gaye sawal ka jawab diya uski aankhen hairat
se faile gayi

Avantika:- ek baat bataoge?

Main:- sab kuch apne aap tumhe pata chal jayega bas jab sahi waqt aaye toh tumhar
dimag nahi dil jo bhi kahe tumhe jo bhi dikhaye usse samjhne ki koshish karna Avantika
ko meri baat ka matlab toh samjh nahi aaya par wo ye janti thi ki jab waqt aayega toh
saari cheezen clear ho jayengi maine apna haath aage kiya jise Avantika ne thaam liya agle
hi pal hum dono gaayab ho gaye

Planet: Warriors World Place: Palace Entrance

aaj Lord of Angels ke paavan kadam hamare grah par punah padenge hum bata nahi sakte
ki hume kitni khushi ho rahi hai

Shaila:- ye khushi sirf aapka mann hi nahi pita ji balki hum sabka mann mehsoos kar raha
hai do din pehle jabse maine suchna di hai ki main aane wala hunisla aur Warriors World
me zoron shoron se mere swagat ki tayariyan chal rahi hain saare raaston ke upar ful bicha
diye gaye hain mahal se lekar grah Setu ke pravesh dwaar tak ke raaste ko alag alag tarike
se saja diya gaya hai aisa lag raha hai jaise Isla aur Warriors World ki shayadi ho rahi hai
iss waqt Lord Crusedar Shaila Mokalsar aur Akshaant apne mahal ke saamne hi khade the
mahal ke charo taraf bamboo ke bade bade barricades lagaye gaye the jinke dusri taraf
Warriors World ke sabhi log khade hokar mera naam chilla rahe the

Lord Crusedar:- baccho tum sab toh unke mitra ho tumhe toh pata hi hoga ki unhe kya
kya pasand hai agar kuch kami reh gayi hai toh shigrh batao taaki avilamb uss kami ko
pura kiya jaye Lord Crusedar ki baat sunkar teeno bas muskura diye

Shaila:- dil me prem aur aankhon me sachayi Vikram ko in do gehno ke aage aur kuch bhi
nahi chahiye aur ye dono gehne aapke paas hain pita shri issliye nishchint hokar apni
baahen failaye unka swaagat kijiyega unhe bohat acha lagega abhi Lord Crusedar kuch
kehte usse pehle hi unse thodi door unke saamne ek tez prakash fail gaya jiski wajah se
waha moujud sabhi ki aankhen band ho gayin jab wo prakash kam hua aur sabne apni
aakhen kholkar saamne dekha toh sabhi ke khushi ka thekana na raha main aur Avantika
saamne khade hokar apne charon taraf khade logon ko dekh rahe the wahi mujhe apne
saamne dekh waha moujud bheed ki awaaz aur buland ho gayi maine halka upar hawa
me uth gaya taaki bheed ke aakhir ke log bhi mujhe dekh saken hawa me uth maine apna
haath upar kiya aur sabko mera naam pukarne se roka sabhi chup ho gaye main thodi der
tak yunhi hawa me khada raha uske baad dheere dheere niche aa gaya par ab neeche sirf
Avantika nahi thi balki uske paas mere teeno dost aur Lord Crusedar bhi khade the aur
teeno ne Lord Crusedar ko Avantika se parichaya bhi kara diya tha mere neeche aate hi
Lord Crusedar ne mujhe phoolon ki maala pehenana chaha par maine unhe rok diya aur
jhukkar unke pairon ko chu liya jaise hi maine unke pairon ko chhua Lord Crusedar ke
aankhon ke saamne unki patni aur unke bacchon ke chehre aa gaye jo swarg me baith
apne pitah ko dekh muskura rahe the itni sadiyon ke baad apne bacchon aur patni ko
wapas dekh Lord Crusedar bohat khush bhi ho gaye aur saath hi bhavuk bhi

Main:- aap ek mahan yodha hai Lord Crusedar aur aap jaise yodha ke aankhon me aansu
acche nahi lagte aapke mann main ek baar apne bacchon aur patni ko dekhne ki tivr iccha
jaagrit hui thi issliye hi aap unhe dekh sake par jo jeeven chakra se aazad ho chuka hai
usse yaad kar aansu bahane se acha hai aapke naye parivar aapki putri aur aapke dono
putr ke saath aap hasi khushi jiyen

Lord Crusedar:- aisa hi hoga Vikram abhi koi aur kuch kehta usse pehle hi ek baar aur
hamare saamne tez prakash hua aur ussi prakash ke beech se Defender prakat hue
Defender ko apne saamne dekh waha moujud sabhi jhuk gaye wahi Defender ne mere
aage apna sar jhukayea

Main:- chalen

Defender:- ji maine Avantika kaa haath pakda aur aage ki taraf badh gaya aur hamare
peeche peeche hi Lord Crusedar mere teeno dost saare sabha sad aur Warriors World ke
sabhi log chalne lage Avantika ek tak meri taraf dekh rahi thi mere aankhon me kuch tha
jise wo samjhne ki koshish kar rahi thi aur jab wo nahi samjh payi toh

Avantika:- koi baat hai kya Vj? tum kuch disturbed se lag rahe ho

Main:- maine kaha tha naa sab pata chal jayega aur meri kahi hui baat bhulna mat jab bhi
sahi waqt aaye tumhare dil me jo bhi dikhe usse samjhne ki koshish karna abhi wo kuch
kehti ki

Defender:- hum pahunch gaye thek Isla ki hi tarah Warriors World me bhi ek bade aur
mote se ped ke beech se grah Setu ke pravesh dwaar ko banaya gaya tha aur abhi hum
ussi ped ke saamne the maine Avantika ka haath abhi bhi thaama hua tha main usse lekar
uss ped ke seedh me khada ho gaya mere aisa karte hi uss ped ke beech ka hissa khul gaya
aur waha se ek tez prakash nikalne laga mere piche piche hi baaki sabhi ek line me khade
ho gaye jaisa ki maine bataya tha ki uss raaste se ek saath 100 log aaram se jaa sakte hain
issliye sabhi ne 100 -100 ke groups bana liye the main Avantika Lord Crusedar Defender
aur mere teeno frndz sabse pehle aage badhe aur jaise hi hum sab uss ped ke beech bane
raaste se nikalti roshni ke daayre me pahunche uss roshni ne hamare sharir ko khud ki
taraf kheench liya yahi hamare peeche aa rahe sabhi groups ke saath hua aur kuch hi
palon me hum sab grah Setu ke dusre chhor ke bahar khade the dusra chhor mere safar
ka agla aur sabse mahatva purn padhaav Isla

Planet: Isla Place: Grah Setu point

Main:- khubsoorat hai naa? maine ye baat Avantika se kahi thi jo ki aankhen faade Isla ki
waadiyon ko dekhe jaa rahi thi

Avantika:- khubsoorat aise prakritik soundaryata ki kalpana bhi maine kabhi nahi ki thi
sach hi toh keh rahi thi Avantika Isla bramhaand ka sabse khubsoorat grah hai hawa me
tairte chote aur bade pahad bina kisi shroth ke girte hue waterfall har taraf hariyali ne
apni ek aisi chaadar faila rakhi thi maano pure grah me apne adhikar ki pushti kar rahi ho
hamare saamne king Solomon unki patni aur Alesendra khade the mujhe apne saamne
dekh unki khushi ka thekana na raha teeno hi mujhse milne ke liye aage badhe hi the ki
itne me Isla ki zameen me kampan hone lagi jiski wajah se waha moujud sabhi ke paanv
ladkhadane lage par isse pehle ki koi girta maine apna haath sabhi taraf ghuma diya sabhi
ke paav ek jagah jam gaye par abhi bhi kampan barabar ho rahi thi jiski wajah se sabhi ek
sharir buri tarah hil rahe the

Alesendra:- ye achanak kya ho raha hai Vikram?

Defender:- main pata lagata hun ye bolkar Defender ne apni aakhen band kar kuch spell
budbudaya par isse koi faayda nahi hua wahi main bas muskura raha tha jise jaise hi
Avantika aur Alesendra ne dekha dono pehle toh shocked ho gaye fir ye sochkar ki mere
rehte kuch bhi galat nahi ho sakta dono shaant bhi ho gaye

Main:- aap iss kampan ke raaz ka pata nahi laga payenge Defender meri baat sunkar
Defender aur waha moujud sabhi chonk gaye

Main:- shaant ho jaaiye main aa raha hun mere aisa kehte hi kampan ruk gayi par aisa
hone par sabhi aur zyada aashcharya chakit ho gaye

Defender:- ye kaisi maya hai lord?

Main:- Fountain of Light sadiyon se wo mera intezar kar rahi hai apne aap ko chhupakar
apne astitv ko bacha rahi hai aur aaj mujhe khud ke itna samip mehsoos kar Fountain of
Light uttejit ho gayi hai agar aap bura naa maane king Solomon toh kya main pehle
Fountain of Light ki jagah se ho aaun uske pashchat aapki praja se mil lunga

King Solomon:- aap bas hume aadesh den Lord of Angels nivedan kar hume paap ka
bhagidaar na banaye

Main:- main aapki putri Alesendra ko bhi apne saath lejana chahta hun

King Solomon:- ye uska soubhagya hoga lord par kya hum sabhi nahi jaa sakte Fountain
of Light ko dobara dekhne ke liye hamari bhi aakhen taras gayi hain

Main:- wo toh aapki hi dharohar hai aur usse wapas aap sab ke beech lane liye hi toh main
jaa raha hun par abhi aap sab mere sath nahi jaa sakte kyu ki Fountain of Light ke punah
prakat hote hi uski energy bohat zyada hogi jo aapme se koi bhi bardaasht nahi kar payega
uske baad maine Defender se akele me kuch baatein ki aur fir wapas Avantika ke paas aa
gaya

Main:- Alesendra mere paas aaiye mere kehte hi Alesendra mere paas aa gayi maine
Alesendra aur Avantika ka haath pakda aur agle hi pal hum teeno gayab ho chuke the

Fountain of Light

udbheda jwalaka prakatam Fountain of Light manifest Fountain of Light ke saamne khade
hokar maine spell bola mere aaju baaju me Alesendra aur Avantika full on excited hokar
khadi thi dono hi Fountain of Light ko dekhne ke liye lalayit thi par agle hi pal jahan un
dono ke chehre utar gaye wahi main shocked ho gaya aur iska kaaran ye tha ki mere spell
bolne ke baad bhi kuch nahi hua tha fountain ab bhi nadarad thi yaha pahunchte hi mujhe
laga tha ki mujhe dekhte hi fountain apne aap prakat ho jayegi par yaha toh mere spell
bolne ke baad bhi kuch nahi

Alesendra:- aisa kaise ho sakta hai? fountain ko toh aapko apne samaksh dekhte hi prakat
ho jana chahiye tha

Main:- samjh toh mujhe bhi nahi aa raha hai? abhi humme se koi kuch aur kehta ki tabhi
kyu ki usse pata hai ki main yaha moujud hun aur do bhaiyon ke pehle milan ke beech wo
baadhak kaise ban sakti hai? ye awaaz pure kahani ka saaransh do alag alag aatitude ke
swamiyon ka sabse bada hathyar jahan iss awaaz ko punah sun Alesendra ke mann main
ek dar ne ghar bana liya wahi mujhe bhi apni ridh ki haddiyon me ek thandak si doudti
mehsoos hui hum teeno dheere dheere ghum gaye aur agle hi pal wo ghadi jo iss kahani
ki rachna ki sabse ahem kadi thi wo aa chuki thi do alag alag disha se do do aankhen ek
dusre ki aankhon ke har bhaaw ko tol rahi thi jahan ek bhai ke honthon par muskurahat
thi wahi dusre ka chehra bhaav shunya iss waqt bramhaand ke do sabse shakti shaali
vyaktitv ke swami ek dusre ke saamne khade the God ke do putr jinme me se ek Lord of
Angels tha toh dusra lord of devils Vikram aur Asmodeus par hum dono se alag Alesendra
ke chehre par shock ke bhaav the aur ye bhaav Asmodeus ko dekhkar nahi balki uske side
me khade Isla ke raaj Guru ko dekhkar aaye the ye wahi raaj Guru hai doston jinho ne
Beelzebub ko Isla ke liye khatra bataya tha aur usse yaha se door bhejne ki salah di thi

Alesendra:- raaj Guru aap? wo bhi Asmodeus ke saath? abhi raaj Guru kuch kehte usse
pehle hi

Main:- ye tumhare raaj Guru nahi Alesendra ye Beelzebub hai tumhari santan jisne kayi
varsh purv tumhare raaj Guru ki hatya kar di thi aur fir unhi ka roop lekar yaha rehne laga
aur Fountain of Light se judii saari jaankari yahi apne pitah ko deta raha hai jahan mere
mouh se Beelzebub ka sach jaankar Alesendra ka dil firse tadap utha wahi Avantika bhi
meri baatein sunkar kafi shocked ho gayi thi

Beelzebub:- kaisi ho maa? ye baat Beelzebub ne apne asli roop me aakar kahi thi par uske
maa shabd me pyaar nahi Alesendra ke liye nafrat thi

Alesendra:- main kisi pappi ki maa nahi hun apni gandi zuban se mujhe maa mat bula
Alesendra ki baat sunkar Beelzebub ke haathon me ek energy ball chamak utha jise
dekhkar mere chehre par muskurahat naach gayi

Main:- maa kitna bhi bura bole par kisi bete ki itni himmat nahi honi chahiye ki wo apni
mata ko jawab de par tere haathon me iss urja gendh ko laakar tune Alesendra ki baat ko
sach saabit kar diya meri baat sunkar Beelzebub ne uss energy ball ko meri taraf fekh diya
par main apni jagah bina haath pair hilaye khada raha wo ball mere paas aakar nasht ho
gaya aisa hote dekh Avantika aur Alesendra ke chehre par ek muskaan naach gayi ki tabhi
ahhh ye awaaz mere mouh se nikli thi aur cheekhte saath hi main kuch door jaa gira mujhe
aisa lag raha tha jaise kisi ne mere seene ke upar ek vajni pathar rakh diya hai mujhe kuch
waqt laga par main khada ho gaya mere door girne par jahan Avantika aur Alesendra ke
chehre ki muskurahat gaayab ho gayi thi aur uski jagah dard aur darr ne le li thi wahi mere
saamne khade Asmodeus ke chehre par muskurahat kaayam thi ye waar usne hi mujhpar
kiya tha

Asmodeus:- tumhe dikha nahi haina bhai maine kuch nahi kaha bas agle hi pal mere sharir
ke har hisse se lagatar kai saari energy rays nikli aur tezi se Asmodeus ki taraf chal padi
par Asmodeus ki tezi kabile taarif thi uska sharir second ke 1000ve hisse se bhi kam samay
me idhar se udhar hilne laga aur mere saare rays usse touch bhi nahin kar paye par
Beelzebub aisa nahi kar paya usse mera chhoda ek energy ray takraya aur wo chitak kar
door jaa gira kyu ki ye saare rays meri urja se ban kar bahar nikle the issliye Beelzebub iss
urja ko bardaasht nahi kar paya aur behosh ho gaya wahi Asmodeus ne mere saare rays
ko dodge kar hi diya tha ki adhiktamam karoti maximize aahhh mere spell bolte hi mere
seene ke beech se ek energy ball nikli jiski raftar pehle se 1000 guna zyada tez thi aur iss
baar Asmodeus mere prahar se bach nahi paya energy ball theek uske seene ke beech lagi
aur thek meri hi tarah uske mouh se bhi ek halki si cheekh nikal gayi aur uska sharir bhi
piche jaa gira par Asmodeus turant khada ho gaya

Main:- tumhe bhi dikha nahi haina bhai Asmodeus ne kuch nahi kaha bas khada ho gaya
uthethe hi Asmodeus ke lab hile aur usne jo kaha aur kiya wo maine expect nahi kiya tha

Asmodeus:- Alesendra Avantika tum dono ko suraksha kawach me rehna chahiye warna
tum dono ko chot lag sakti hai ye kehkar Asmodeus ne apna haath aage kiya jise ek
adrishya ray nikli aur uss ray ne Avantika aur Alesendra ke charon taraf ek shield bana di
ek aisa hi shield Asmodeus ne hum jis jagah khade the uske charon taraf bhi faila di

Alesandra:- tumne vachan diya tha Asmodeus ki tum wapas nahi aaoge

Asmodeus:- vachan yaad ha shart nahi maine kaha tha ki jab tak Fountain of Light iss grah
se nadarad hai tab tak main yaha nahi aaunga par iske yaha aane ka matlab hai fountain
ka yaha upasthi th hona agar main tumhe maar dun toh bura mat maanna bhai

Main:- nahi maanunga bas ek shart hai maar hi dena kyu ki agar main bach gaya toh tum
nipat jaaoge meri baat sunkar Asmodeus ke chehre par ek muskaan naach gayi aur agle
hi pal dhoomm dhoomm sayeenn aisi hi lagatar kai aawaazen aayin main jis jagah khada
tha theek uske upar aasman me ek jagah khul gayi aur uss jagah se baarish hone lagi par
ye baarish paani ki nahi aag ki thi main apni jagah se hath gaya aur jis jagah par wo agni
varsha giri waha dhamake hone lage thek ussi waqt Asmodeus ke aaju baaju se kayi
shashtra meri taraf badhe par maine haath aage kar unhe rok diya aur unhe wapas
Asmodeus ki taraf hi mod diya par Asmodeus tak pahunchne se pehle hi wo saare shashtra
bekar ho gaye tabhi aahhh ye meri cheekh thi aur issi cheekh ke saath me aage ki taraf
udta hua gira hua ye ki Asmodeus ke do lagatar waaron se jaise hi main bacha thek ussi
waqt piche se ek maayavi haath mere peeth se takraya jiski wajah se main aage udta hua
gira

Asmodeus:- bhai bhai yudh ke waqt charon taraf nazar honi chahiye warna aisa haal hona
anivarya hai ahhh dhoobbh ye awaaz Asmodeus ke mouh aur sharir se nikli thi hua ye ki
jab Asmodeus mujhse baat kar raha tha tab mera chehra neeche zamin ki taraf tha aur
tabhi Asmodeus jahan khada tha ussi zamin ke andar se ek maayavi haath nikla aur
Asmodeus ke pairon ke neeche se usse upar hawa me utha diya aur agle hi pal Asmodeus
ke hawa me tairte sharir ko pakad kar neeche patak diya Asmodeus kuch pal tak upar
aasman ko ghurta raha fir muskurate hue khada ho gaya saala besharam maar khakar bhi
hasta hai par tha toh mera hi bhai kuch toh side effect hoga hi yaha hum lad rahe the
waha pure bramhaand me halka halka andhera chaane laga tha hawayen tez behne lagi
thi angels aur devils taktaki lagaye hum dono ke beeche chhide maha sangram ko dekh
rahe the Alesendra aur Avantika ke chehre par bhi fikr aur dar ke mile jule bhaav tair rahe
the khair Asmodeus ke saath saath main bhi khada ho chuka tha hum dono hi ek dusre ki
shakti ko aankhon hi aakhon me toul rahe the ki tabhi mmmm ye awaaz meri thi aur ye
issliye mere gale se nikal rahi thi kyu ki main apne dono haathon ko failne se rok raha tha
hua ye ki Asmodeus ne apne haathon ko saath kar mala aur meri taraf ektak dekhte hue
apne dono haathon ko failane laga ye ek ghatak magic tha isme Asmodeus jitna apne
haathon ko failata utne hi mere haath bhi failte jaate aur iss condition me Asmodeus meri
body ko nishana banakar koi bhi spell bol sakta tha aur kyu ki mujhe usne jakda hua tha
issliye main kuch bhi nahi kar paata main bhi apni puri shakti apne dono bhujaon me
lagakar apne haathon ko failne se rokne laga par ye rokna bohat muskil tha kyu ki iss magic
ki shuruat Asmodeus ne kar di thi aur iss magic ko bekar karne ke liye sabse pehle mujhe
Asmodeus ka concentration break karna zaroori tha maine apne haathon ko failne se
rokne ki koshish karte hue Asmodeus ke pairon ke paas ek tak dekhna shuru kiya aur aisa
karte hi uske pairon ke paas se ek mitti ka bhawar utha aur uski aakhon ki taraf badhne
laga par tabhi aahh ahh ye awaaz mere aur mere baad Asmodeus ke mouh se nikli thi hua
ye ki Asmodeus ke concentration ko todne ke chakkar me meri bal shakti ko mujhe halka
kam karna pada jiski wajah se Asmodeus mere dono haathon ko failane me kaamiyab raha
aur jaise hi aisa hua Asmodeus ki aankhon se ek ke baad ek 3 red rays nikle ye red rays
bohat ghaatak the mere siwa koi bhi in rays ko ek baar bhi jhel nahi sakta tha par iska
matlab ye nahi tha ki mujhe in rays se koi khatra nahi tha rays ke mujhpar padte hi mera
sharir kayi jagah se kat gaya jiski wajah se mujhe aseem dard mehsoos hua wahi mere
dwara banaye gaye bhawar ne Asmodeus ko naa sirf har taraf se gher liya tha balki uski
aankhon me bhi kuch maatra me mitti ke kan ghus gayi par ye koi bada prahar nahi tha
girne se pehle Asmodeus ki hi tarah meri aankhon se bhi ek ke baad ek teen green rays
nikle ye rays Lord of Angels ke shakti ke pratik the wo rays Asmodeus ke sharir se naa
takrakar uske sharir ke andar chale gaye aur Asmodeus ke andar moujud aseem black
energy ke saath takrane lage jiski wajah se Asmodeus ko bhi kafi zyada dard hua aur wo
gir gaya mere sharir par kisi bhi tarah ki black energy ka prabhav zyada der tak nahi hota
thek ussi tarah Asmodeus ke sharir par bhi kisi white energy ka prabhav bohat jald khatam
ho jata hai issliye kuch hi der me Asmodeus thek ho gaya hum iss baar bhi saath hi khade
hue

Asmodeus:- bas bohat hua Asmodeus ne apni aakhen band ki aur agle hi pal vijwate
shaktiyem vinashaya bhavati multiply all powers to destroy mantra ke uccharit hote hi
Asmodeus ke sharir ke saare ang ek dusre se alag ho gaye aur har ang se tez energy beam
nikli aur meri taraf badhi

Main:- adbhudhhh ye shabd mere mouh se apne aap nikal gaya main apni jagah par haath
jode sidha khada ho gaya aur agle hi pal mere body se thek waise hi rays nikle jaise
Asmodeus ki body se nikal rahe the mere rays ne Asmodeus ke rays ko aage badhne se
rok rakha tha ki tabhi aahh shit hua ye ki Beelzebub jo mere waar se behosh ho gaya tha
usse hosh aa gaya tha aur mujhe apne father ke itne ghatak waar ko bhi rokte dekhkar
wo gayab hokar mere right taraf aa gaya mera saara dhayan Asmodeus ki taraf tha tabhi
Beelzebub ne apni black energy se mujhpar waar kar diya Beelzebub ki chhodi gayi black
ray mere right kandhe par lagi jise mujhe halka dard hua par ye dard mere liye koi badi
baat nahi thi par iss waar ki wajah se mera dhayan ek second ke liye Beelzebub ki taraf
chala gaya jiski wajah se Asmodeus ke rays mujhpar pade jise mujhe asahaniya dard hua
mera sharir kayi jagah se kat gaya tha par maine apne dard ko zabt karte hue vibhajati
divide mere spell bolte hi mere dwara chhodi gayi rays ne khudko vibhajit kar liya aur aisa
hone se meri rays har taraf faile gayin ek beam Asmodeus ki taraf sidhi jane lagi dusri
beam Beelzebub ki taraf jane lagi jise Beelzebub ne rokne ki koshish toh ki par puri tarah
kaamiyab nahi ho paya kuch rays ko usne apne power se rok liya par kuch rays uske
powers ko kaatte hue uske sharir me jane lagi jise usse bohat zyada dard hone laga par
Beelzebub ne apne dard ki parwah naa karte hue apne dusre haath se mere upar ek aur
black beam chhodi jo mere sharir se takrane lagi thek ussi waqt Asmodeus ye samjh gaya
tha ki Beelzebub ke chhode gaye rays se mujhe zyada fark nahi padega issliye usne apne
rays ki shakti aur speed double kar di ab Asmodeus ke chhode gaye rays ke kuch hisse
mere sharir se takrane lage jise mujhe bohat dard hone laga main jaan gaya tha ki main
jeet toh paaunga nahi par haar main sakta nahi tha issliye annugachati blast observe
visphotam ishwar ka naam lekar maine spell uchharit kiya aur agle hi pal boommm ek tez
dhamake ke saath sab kuch shaant ho gaya mere dwara chhode gaye rays se Asmodeus
aur Beelzebub mushkil se khudko bacha paa rahe the par mere bole gaye dusre spell se
wo khudko bacha nahi paye mera bole gaye spell se mere pure sharir ki urja bahar nikli
aur Asmodeus aur Beelzebub ki taraf lapki iss spell ki khaas baat ye thi ki meri urja ne
pehle mere dono dushmano ki weak points ko observe kiya mere haathon se white energy
nikalkar Asmodeus ki taraf jane se waise toh uski alag ho chuki zyadatar bodyparts ko
kuch khaas fark nahi pad raha tha par uske pet se lekar seene tak ka bhaag uske anya
bhaagon ke mukable kamzor tha jise meri urja ne detect kar liya wahi Beelzebub ka
maamla kafi aasan tha wo toh waise bhi meri rays ke effects se kafi kamzor ho chuka tha
issliye meri urja tivr gati se aage badhi aur fir ek karn bhedi dhamaka uske baad sab shaant
par iss dhamake se mera kamzor ho chuka sharir bhi bach nahi paya ek dard bhari aah ke
aath me Asmodeus aur Beelzebub ki bodies neeche girne lagi mera pura sharir lahuluhan
ho chuka tha yahi haal Asmodeus aur Beelzebub ka bhi tha Vj Vikram mujhe girte dekh
Avantika aur Alesendra ke mouh se chikh nikal gayi kyu ki unke charo taraf sheild
Asmodeus ne shield daali thi aur Asmodeus ab behosh ho chuka tha issliye uski banayi
shield bhi gayab ho gayi thi dono bhaagte hue mere paas aaye Avantika ne mere sar ko
godh me utha liya mera saara sharir lagbhag khatam ho hi chuka tha par mere chehre ki
muskaan ab tak kaayam thi Avantika kuch keh nahi rahi thi bas chup chaap roye jaa rahi
thi aansu toh Alesendra ke aansu me bhi par wo thode door me khadi mujhe dekh rahi thi
tabhi hamare saamne ek tez roshni hui aur ussi roshni ke beech ek aakriti ubhri aur dheere
dheere uss aakriti ne roop lena shuru kiya aur jaise hi uska roop poora hua hum sab ki
hairat ki koi seema nahi thi meri aankhen bojhil ho chuki thi uske baawjud main aankh
faade saamne uss shaksh ki taraf dekh raha tha

Alesendra:- Asmodeus tum ye nahi ho sakta agar tum Asmodeus ho toh ye kaun hai ji
haan dosto mere Alesendra aur Avantika ke saamne iss waqt Asmodeus khada tha par
wahi ek Asmodeus hamare saamne zamin par behosh bhi pada tha ajeeb guthi

Asmodeus:- zyada mat socho Alesendra Asmodeus ki chaalon ko samjhna tumhare bas ki
baat nahi thi kaise ho mere bhai pehli baar mil rahe ho aur wo bhi apni aakhri saanse ginte
hue main toh total blank mode me jaakar Asmodeus ki baatein sun raha tha chaliye main
aapko batata hun ki aakhir maazra kya hai? ketak shakti ke antargat teen spells aate hain

1st:- samvega maaya jisme chote se chote spells ki shakti ko laakh guna tak badhaya ja
sakta hai

2nd:- graham maaya jisme ek banzar grah ke andar ek jeeven daayi grah ko chupaya jata
hai par in dono ke bare me bataya jaa chuka hai par aakhri ke nahi jiski wajah se ye sab
hua hai
3rd:- bhram maaya ek adbhudh maaya ek aisa spell jise khudke ek aise clone ko banaya
jata hai jise khud bhi nahi pata hota ki wo ek clone hai uss clone ke andar apne asli roop
ke saare talent saari yaadein in short sab kuch hota hai bas wo waqt usse yaad nahi rehta
jab usse banaya gaya tha aur ye spell ko ab tak bramhaand me Asmodeus ko chhodkar
aur koi nahi bol sakta aapko yaad hoga ki Beelzebub Mirror World me Agrasena ko kaid
karne ke baad jaise hi wapas jane ko hua toh usse kahi kheench liya gaya tha usse asli
Asmodeus ne Cross World me apne paas bulaya tha aur apni sachayi aur maaya ke bare
me bataya tha

Asmodeus:- ab toh chonkna chhodo bhai tumse mujhe zyada ummiden thi waise main
toh tumse dher saari baatein karna chahta tha par tumne apne bhatije ki itni buri haalat
kar di hai ki agar maine isse jaldi se thek nahi kiya toh ye mar jayega ye bolkar Asmodeus
ne apna haath Beelzebub ke upar ghumaya Beelzebub gayab ho gaya

Asmodeus:- jane se pehle ek adhure kaam nipta lun aur tabhi aahh ahhh ek saath do
cheezen hui Asmodeus ne ek haath se Avantika ko mujhse door kiya aur fir agle hi pal
usne mere upar lagatar 5 black rays chhode un rays ka impact itna zyada tha ki dard ki
adyadikta ke chalte main chilla bhi nahi paya aur agle hi pal meri aankhen band ho gayin
Vj mera naam chillate hue Avantika mujhse chipak gayi

Alesendra:- tum

Asmodeus:- shhh jitna bolna tha tum bol chuki ho ab aur nahi

Asmodeus:- ishwar me vishwas rakhti ho Avantika? (precap lines) Avantika jise abhi tak
ek kharoch tak nahi aayi thi par uske baad bhi uski aisi haalat aisi ho gayi thi jaise abhi
uske praan nikal jayenge wo Asmodeus ki awaaz sunkar jaise koi sapne se jaagi uski
aankhon me abhi bhi Asmodeus ke roop aur taakat ka dar dekha jaa sakta tha logon ke
sharir kaampte hain par Asmodeus ki taraf dekhte hue Alesandra ki aankhen tak kaamp
rahi thi

Asmodeus:- maine pucha kya tum ishwar me vishwas rakhi ho?

Alesandra:- haan ek shabd bas ek shabd ko mouh se bahar nikalne ke liye Avantika ko
apne pure sharir yaha tak ki apni aatma tak ki shakti ka istemal karna pad gaya wahi
Avantika ke jawab ko sunkar Asmodeus ke chehre par ek muskaan aa gayi

Asmodeus:- hmm toh fir thek hai main tumhe tab tak nahi maar sakta jab tak ye zinda hai
waise toh iski bas chand saasein hi bachi hai par mujhe achi tarah pata hai ki tum iski jaan
bachane ki koshish zaroor karogi par Lord of Angels ki jaan bachane ke kaam me koi roda
na ho toh maza nahi aayega issliye aahhh ahhh ye cheekhen Avantika ke mouh se nikal
rahi thi Avantika ko apne pure sharir me aisa dard mehsoos ho raha tha jaise usse ek saath
kai bicchuon ne dank maar diya ho aur arre ye kya? jaise jaise Avantika ke mouh se cheekh
nikal rahi thi uske sharir ka rang bhi badalkar peela padte jaa raha tha

Asmodeus:- tumhare sharir me maine sakrun vish chhoda hai Avantika ek aisa vish jo
bohat dheere dheere asar karta hai par ye vish sharir me pravesh karte hi sharir me ek
aisa dard paida karti hai jise manushya sehne se acha marna pasand karta hai ab tumhe
Vikram ko bachane ke liye issi dard ko sehte hue koi yukti sochni padegi aur haan iss vish
ko tumhare sharir ko paralyze karne me ek pahar (12 hours) ka samay lagega itna hi waqt
hai tumhare paas isse bachane ke liye apne ishwar ko yaad karo Avantika suna hai isse
dard sehen karne ki shakti milti hai hahaha ye bolkar Asmodeus gayab ho gaya aur peeche
reh gaye 3 log ek pathrayi aakhon se ye anarth hote hue dekh rahi thi dusra aise pada hua
tha jaise abhi mar jayega aur teesri aise tadap rahi thi jaise iss tadap se bachne ke liye
abhi ke abhi marna chahti ho Alesendra doud kar Avantika ke paas pahunchi

Alesendra:- himmat rakho Avantika na ahi tumhe kuch hoga aur naahi Vikram ko upar
wale par bharosa rakho wo apne bete ko aur uski shakti ko iss haal me kabhi nahi
chhodega nahi nahi Avantika ankhen kholo behosh mat hona agar tum behosh hui toh fir
kabhi nahi uth paogi hua ye ki Avantika kje upar zeher ka nasha haawi hone laga tha jiski
wajah se wo behosh hone lagi thi Alesendra ne bohat koshish ki par Avantika behosh ho
hi gayi

Alesendra:- hey parmeshwar kya aaj achayi par burayi ki jeet ho jayegi agar tera khud ka
bacha bhi haar jayega toh fir kaun uss dusht papi ko harayega hey Prabhu meri guhar sun
aur apne bacche aur uski shakti ki hifazat kar abhi Alesendra aur bhi bohat kuch kehti par
tabhi Alesendra ke peeche ek tez roshni chamki aur jab Alesendra ne piche palat kar dekha
toh iss dukh bhare pal me bhi uske andar khushi ki lahar doud gayi kyu ki uske peeche jo
roshni hui thi wo aur kisi ki nahi balki Fountain of Light ki thi aur agle hi pal fountain se
teen ray lines nikli aur un lines ne mujhe Alesendra aur Avantika ko apne andar khich liya
jaise hi hum teeno fountain ke andar pahunche fountain ke andar ki roshni ne khud ko
kuch kam kar liya taaki wo roshni aakhon me chubhe naa aur bahari taur par fountain ek
baar firse gayab ho gayi abhi Alesendra kuch sochti ki tabhi hhhh issi awaaz ke saath
Avantika ko hosh aa gaya khud ko ek nayi jagah me dekhkar usse bhi shock laga par tabhi
aahh Avantika ko hosh zaroor aa gaya tha par vish ka prabhav toh uske andar abhi bhi
pehle jaisa hi tha wo dard se tadap uthi usse itna dard ho raha tha ki wo kuch soch hi nahi
paa rahi thi Alesendra bhi iss baat ko bakhubi janti thi issliye wo bhi bebas nigahon se
Avantika aur mere taraf dekhe jaa rahi thi ki tabhi hukk hukkk Vjjj pehli awaaz mere mouh
se nikli thi sirf awaaz hi nahi nikli thi balki mere mouh se iss awaaz ke saath khoon bhi
bahar nikla tha aur yahi dekhkar Avantika ki bhi cheekh nikal gayi thi wo apni puri taakat
laga kar khade hone ki koshish kar hi rahi thi ki kuch aisa hua jo un dono me se kisi ne bhi
nahi socha tha mere seene ke beech me ek tez prakash utpann hua aur ussi prakash ke
beech meri kitab bahar nikli aur uske baad jo hua usse ek taraf Alesendra dekhkar kho si
gayi wahi Avantika ki aankhen bhar aayin par iss baar unme udasi ke saath saath khushi
aur uttejana bhi chupi hui thi hua ye ki mere book ke bahar aate hi wo khul gayi aur uske
beech se upar hawa me hi kuch chal chitr kuch drishya dikhne lage in drishyon me meri
zindagi ki har khaas cheezen dikh rahi thi Avantika ke pita se pehli baar milna mere sapne
jinme uska aana bhavishya wani ki wahi meri shakti banegi aur iske saath aur bhi bohat
kuch aur ye sab dekhkar Avantika ki rulayi phoot gayi uski aankhen ek baar firse band ho
gayi par tabhi mere book se dobara ek ray nikli aur Avantika ke band aankhon ke upar
padi aur agle hi pal Avantika ke aankhon ke saamne uska sapna aa gaya jisme uske sapno
ke rajkumar ki peeth uski taraf thi par agle hi pal wo palta aur uska chehra dekhkar
Avantika ki khushi ka thekana nahi raha kyu ki wo ladka main hi tha Avantika ne dobara
apni aankhen kholi dard toh uske pure sharir me pehle sa hi tha par ishq ke zakhm ke aage
koi aur zeher kya cheez hai mere book ke upar abhi bhi kuch naye drishya dikh rahe the
jinme se ek tha ki kaise maine Digvijay ko maara tha ye dekhkar Avantika itne dard me bhi
muskura uthi par tabhi uski nazar ek drishya par padi jo baaki drishyon se zyada bada roop
lekar dikh raha tha aur uss drishya par nazar jaate hi Avantika ka chehra khil utha

Avantika:- Alesendra mera bag kaha hai jab main yaha aayi thi toh wo mere saath tha abhi
Alesendra kuch kehti ki usse pehle Avantika ka bag joki bahar hi pada hua tha wo hawa
me tairta hua Avantika ke paas pahunch gaya Avantika ne kaampte haathon se apna bag
khola aur uske andar se ek cheez bahar nikali

Alesendra:- ye kya hai Avantika?

Avantika:- hum dono ka ilaaj Sweth phool ji haan uss drishya me Sweth phool hi dikh raha
tha aur Sweth phool hi ilaaj kyu thodi der me aapko pata chal jayega Avantika ne kaampti
haathon se hi jitna ho saka utna Sweth phool ko masla aur uske aisa karte hi phool me se
ras risne laga Avantika ne jhat se pehle ras ki kuch bunde mere honthon par tapka di aur
fir kuch bunde usne khud pi li mere honton ke upar jo ras ki bunde giri thi wo dheere
dheere mere mouh ke andar jane lagi aur jab wo puri andar chali gayi toh ek saath do
cheezen huin
1st:- Avantika ke andar ka zehar Sweth phool ke ras ke andar jaate hi khatam ho gaya

2nd:- meri body ek baar firse chamakne lagi aur jab main normal hua toh mere saare ghaav
khoon sab kuch theek ho chuka tha ab bas aisa lag raha tha jaise main bas soya hua hun
wahi Avantika ke theek hote hi Alesendra turant uske paas gayi aur dono gale lag gayi

Alesendra:- tum dono thek ho gaye Avantika dekho Vikram ke bhi saare chot uska nikla
saara khoon ab gayab hai par ye hua kaise aur wo phool aakhir hai kya? Avantika ne ek
baar meri taraf dekha fir Alesendra ko wahi baatein batayi jo maine usse yaha aane se
pehle batayi thi wo apne tarike se bata rahi hai main aapko apne tarike se batata hun

Sweth phool white flower isse bade se bade chot zakhm theek ho sakta hai marta hua
aadmi bhi mout ke mouh se wapas aa sakta hai par main toh koi aam banda hun nahi aur
naahi Avantika kyu ki wo meri shakti hai fir ye phool hum dono ko kaise bacha sakta hai?
ye janane ke liye aapko ye jaanna hoga ki Rakht phool ki hi tarah Sweth phool kisse bana
hai jab God ne Asmodeus yaani mere bhai ko khud se door kiya tab Asmodeus ne khudko
devils lord banane ka socha usne paap ki ek nayi missal banne ki kasam khaayi par jaise hi
uski soch ne haqiqat ka roop liya toh uski saare heavenly power uske body se nikal gaye
par God ke paas jane ke bajaye wo power earth ki taraf chal pade aur unhi powers ne
earth pahunchkar ek naya roop liya Sweth phool ka roop aur kyu ki main God's son hun
toh ek God's son ki hi power mujhe aur meri shakti ko theek kar sakti thi aur wo God's son
naa chahte hue bhi mera bhai Asmodeus hai Avantika ki baat sunkar Alesendra ka mouh
khula ka khula reh gaya

Avantika:- kitna ajeeb hai naa jis bhai ne Vikram ko mout ke mouh tak pahunchaya tha
ussi ki shakti ne usse mout ke mouh se wapas bhi kheench liya

Alesendra:- adbhudh Avantika lagatar meri hi taraf dekhe jaa rahi thi par maine abhi tak
koi movement nahi ki thi jiski wajah se uske mann main ek baar firse dar baithne laga tha

Avantika:- Vj please uth jaao naa tumhe meri aakhon me aansu bardasht nahi hote naa
toh please uth jaao warna main ro dungi ye bolte bolte Avantika ke aankhon se ek baar
firse aansu nikal gaye Alesendra ko bhi ab meri fikr dobara hone lagi thi kyu ki ab tak toh
mujhe uth jana chahiye tha dono me se koi kuch firse kehta ki tabhi Fountain of Light ki
roshni ek baar firse tez ho gayi aur uss roshni ke beech kuch aur roshniyan chamakne lagi
kuch der baad fountain ki roshni kam ho gayi roshni ki wajah se Avantika aur Alesendra
ne apni aakhen band kar li thi par jaise hi unhone aankhen kholi dono firse chonk gayiii
aur wo issliye kyu ki mere book ke upar roshni se bane 6 gol kanche hawa me tair rahe
the Avantika aur Alesendra un kancho ko dhayan se dekhne lagi mere book ke jo first do
pages the jinme kul 3 gol khaanche bane the unme un 6 light kancho me se 3 aakar fit ho
gaye aur aisa hote hi meri book band hokar mere andar sama gayi wahi bache hue 3 light
kancho me se do Avantika ke saamne aakar ruk gaye aur ek Alesandra ke saamne aakar
tehar gaya

1st kancha:- kangan nahi hun fir bhi khankungi sahi samay aane par teri hatheli par
chamkungi ye bolkar wo light kancha Avantika ke andar sama gaya aur aisi hi line bolkar
2nd kancha Alesendra ke andar sama gaya Alesendra aur Avantika ne ek dusre ki taraf
dekha aur agle hi pal ek saath dono ke mouh se nikla

Dono:- Bhavishyawani ji haan dosto ye Bhavishwani thi do ho chuki thi meri Bhavishya
waniyan meri kitab me surakshit thi aur ek ka abhi hona baaki tha joki Avantika ke saamne
hawa me ruki hui thi Avantika kuch der tak uss kanche ko dekhti rahi aur fir jaise hi usne
uss kanche ko chua uss kanche se tez roshni nikalne lagi aur agle hi pal

Bhavishyawani:- khele tum dono ne bohat se khel ab tum dono ke saath bhi ek khel hoga
zindagi toh bach gayi Sweth phool se par aankh tabhi khulegi jab aatmik shakti ka mel
hoga jaise hi Bhavishyawani khatam hui kancha gayab ho gaya Avantika kuch der
Bhavishwani me kahe gaye shabdon ke bare me sochti rahi ki par usse kuch sujh hi nahi
raha tha ki tabhi achanak usse mere apne ghar me kahe gaye aakhri shabd yaad aaye ki
dimag se nahi dil se sochna aur agle hi pal Avantika ki aankhen band ho chuki thi usse uske
dil ki gehraiyon me bas mera hi chehra nazar aa raha tha meri tasviron ko Avantika
mehsoos kar hi rahi thi ki achanak usse Switzerland me hum dono ke beech hui shayri me
baat wali scene dikhne lagi aur jaise hi usse meri kahi gayi shayri/paheli sunayi di Avantika
ki aankhen khul gayi ek second bas ek second ke liye uske mann main sharm jaagi par ussi
pal me uske andar se ek awaaz uthi ki abhi nahi toh kabhi nahi iss awaaz ke Avantika ke
andar gunjte hi uski sharm khatam ho gayi aur agle hi pal Avantika ka chehra mere chehre
ki taraf jhukta chala gaya ab iss lamhe ke upar kya likhun aakhen band andhera kamra
najane kab roshan ho gaya tere labon ne jo chua mere labo ko ek hi pal me tu mera rab
ho gaya Avantika ke honthon ne mere honton ko apni giraft me le liya tha naa koi hawas
naa koi pyaas aisa tha mere pyaar ka ehsaas jaise hi Avantika ke honth mere honthon se
jude meri body ko ek jhatka laga aisa lag raha tha jaise Avantika apne honton ke zariye
mere andar jaan phoonk rahi ho kuch palon ke iss milan ke baad Avantika ne dheere se
apna sar peeche kiya aur jaise hi uski nazar mere chehre par gayi uski khushi ka thekana
naa raha meri aankhen khul gayi thi aur main ek tak uski taraf dekh raha tha Avantika ne
apne dono haathon se mere dono gaalon ko thaama aur
Avantika:- I love u

Main:- love u too kuch der tak Alesendra ne bhi hum dono se kuch nahi kaha par jab usse
ehsaas hua ki hume yaha aaye kafi waqt guzar chuka hai tab usne apni baat kahi jiske
jawab me ishq se bhare do dilon se apne apne khayalat nikle par mujhe bhi iss baat ka
ehsaas tha ki wakayi Lord Crusedar king Solomon unki wife Defender aur mere doston ko
bhi ab hamari chinta sata rahi hogi aur praja bhi mujhse milne ke liye bohat adheer ho
rahi hogi issliye

Main:- baaki ki baatein baad me kare? ye baat maine Avantika se kahi thi

Alesendra:- baaki ki baatein? aap dono ne baat kab ki tab se toh bas ek dusre ki aankhon
me dekhe jaa rahe ho?

Main:- aankhon ki baaton se khubsoorat aur dile sukoon marham kuch nahi hota
Alesendra meri baat sunkar Alesendra aur meri jaan muskura di

Main:- chale Av

Alesendra:- arre waah abhi abhi izhar hua aur turant naya naam bhi mil gaya jahan
Alesendra ne hum dono ko chheda wahi Avantika ke aankhon me mere mouh se av sunkar
khushi aur sawal ki mixture bhari smile aa gayi

Avantika:- chalo hum teeno aage badhe hi the achanak mujhe kuch khayal aaya ya fir ye
kahu ki kisine mujhe kuch khayal karwaya aur ye kisine aur koi nahi Fountain of Light ki
roshni hi thi

Main:- ek second dono hi mujhe sawal bhari nazro se dekhne lage main un dono ko
dekhkar muskuraya aur agle hi pal meri aankhen band ho chuki thi urja vitani karoti
energy spread out mere spell bolte hi meri body se tez roshni ke beech white rays nikle
aur fountain ke andar jo light faili hui thi unme samane lage issi beech meri rays se
fountain ki light se connect hote hi maine kuch mehsoos kiya jo maine mehsoos kiya wo
aur kuch nahi ********* tha aur jaise hi mujhe ye gyaat hua maine uss ********ki manzil
ki taraf jhaanka aur naa sirf mujhe uss chiz ki manzil dikhi balki uss manzil ki haqiqat bhi
dikhne lagi jise dekhkar mere dil me ek dard sa utha khair mujhe iss baat ki santushti aur
khushi bhi thi ki fountain me mere aane ka maksad pura hua mere sharir se white rays
kuch der tak nikalte rahe aur fir jab mera kaam khatam hua toh meri body se roshni nikalni
band ho gayi jab maine aakhne kholi toh dono ko meri taraf ghurta paya
Main:- ab naahi Asmodeus fountain ki shakti ko paa sakta hai aur naahi isse apavitra kar
sakta hai meri baat sunkar Alesendra bohat khush ho gayi

Main:- ab chalo hum teeno khushi khushi bahar aa gaye hamare bahar aate hi fountain
jisne bahar se ab bhi khudko adrishya hi rakha tha wo firse ujwalit ho gayi ab fountain ko
koi khatra nahi tha jahan fountain ko apne asli roop me dekhkar Alesendra khushi se fuli
nahi sama rahi thi wahi mere chehre par bhi santushti bhari muskaan thi

Main:- Alesendra yaha jo kuch bhi hua uske bare me kisi ko pata nahi lagna chahiye

Alesendra:- ji maine Avantika ka haath abhi bhi thaama hua tha kuch der tak fountain ki
roshni ko jee bhar kar dekhne ke baad hum teeno wapsi ke liye gayab ho gaye

Place: King's Palace

King Solomon:- Vikram ko gaye hue kafi der ho gayi

Ashley:- haan mujhe toh gabrahat ho rahi hai Alesendra bhi unke saath gayi hui hai

Defender:- Queen aap bhul rahi hain ki Vikram kaun hai aur unke rehte Princess par koi
aanch nahi aa sakti

Lord Crusedar:- bilkul bharosa rakhiye tabhi sabha ke beech ek tez roshni hui aur uss
roshni ke beech hum teeno prakat hue jahan mujhe saamne dekhkar sabha me moujud
sabhi khade ho gaye wahi queen Ashley ne apni beti ko sakushal dekh raahat ki saans li

Main:- maaf kijiyega hume thodi der ho gayi

King Solomon:- kripya aap humse maafi na maange agar aap hume yugon tak bhi intezar
karne ke liye kehte toh bhi hum khushi khushi kar lete

Main:- par queen ko toh gabrahat ho rahi thi meri baat sunkar Ashley ka sar neeche ho
gaya

King Solomon:- inki taraf se hum aapse maafi maangte hai kripya inhe maaf kar den
Vikram ye bolkar king Solomon apne haath jodne hi wale the ki

Main:- aapko haath jodne ki zaroorat nahi hai king Solomon main samjh sakta hun ki
gabrahat queen Ashley ko nahi balki ek maa ko ho rahi thi aur maa ke tark par kaisi narazgi

Defender:- lord mujhe ek aseemit urja ka abhaas ho raha hai kya?

Main:- pehle Isla ki praja se mil len uske baad aapke sawal ka jawab aapko mil jayega
King Solomon:- aapko hamari praja yaad rahi yahi hamare liye bohat badi baat hai puri
praja mahal ke bahar hi aapka intezar kar rahi hai

Main:- chaliye fir hum sab mahal ke bahar ki taraf nikal gaye mahal ke bahar aur kuch
dikhayi nahi de raha tha dikhayi de raha tha toh bas door door tak faili Isla aur Warriors
World ki praja mere bahar aate hi saamne khadi praja ki nazar mujhpe padh gayi jise
dekhkar sabhi mere naam ke naare lagane lage aur jaise jaise unki awaaz piche ki taraf
badhti gayi samast praja ko mere aane ka anuman ho gaya aur pura Isla mere naam se
gunj utha par mujhe sirf saamne khade log hi dekh paa rahe the piche ke nahi par unke
dilon me bhi mujhe dekhne ki prabal iccha thi jise main andekha nahi kar sakta tha issliye
main king Solomon & party se thoda aage khaali jagah par chala gaya

Main:- Av maine Avantika ko pukara aur apna haath uski taraf badha diya Avantika thoda
jhijhaki par dheere dheere wo meri taraf badhi aur usne mera haath thaam liya aur agle
hi pal

Avantika:- arre ye?

Main:- peeche ki praja mujhe dekh nahi paa rahi hai iske baad Avantika ne kuch nahi kaha
aur saamne ka nazara dekhne lagi wahi jo ho raha tha usse dekhkar saari praja shocked
bhi thi aur behad khush bhi toh ho ye raha tha ki Avantika ka haath thaamne ke baad
hamari height badhne lagi aur dekhte hi dekhte hum dono 100 feet ke ho chuke the ab
piche ki praja bhi mujhe dekh paa rahi thi aur issi wajah se mere naam ki awaaz jo har
taraf gunj rahi thi uska volume aur badh gaya

Main:- jitne khush aap sab mujhe dekhkar hain utna hi khush main bhi hun aap sab ke
beech aakar main aap sabhi ka inse bhet karana chahta hun kyu ki agar main aisa nahi
karta toh aap mere aadhe roop ko hi dekh paate ye hain Avantika meri shakti maine
Avantika ka haath upar kar apni baat kahi meri baat sunkar praja Avantika ke naam ki
jayjay kaar karne lagi par Avantika ye sab dekh aur sun thodi nervous ho gayi maine haath
upar kar sabko shaant rehne ka ishara kiya

Main:- ek aur baat jise batate hue mujhe behad khushi ho rahi hai aur wo ye ki Isla ki sabse
amulya dharohar jo ab Warriors World ki bhi hai"Fountain of Light" ab punah lout chuki
hai aur ab wo kabhi vilupt nahi hogi meri baat sunkar puri praja aur mere piche khade
king Solomon & party khushi se jhum uthe Defender ki bhi shanka door ho gayi unhe pata
chal gaya ki jis urja ko wo mehsoos kar rahe hain wo fountain ki hi hai
Main:- ab hume ijazat den ye bolkar main aur Avantika apne normal height me waapas aa
gaye

Avantika:- ye sab tumse milna chahte the fir mujhe kyu?

Main:- main aur tum ab rahe hi nahi ab bas hum bache hain issliye hi toh maine tumhe Av
nam se pukara

Avantika:- matlab? yahi toh main tumhe mujhe iss naam se pukarne par bhi puchna chahti
thi Av toh Avantika ko short karke bana hai naa?

Main:- naa Av mujhe aur tumhe hum banane ke liye maine kaha hai A se Avantika matlab
tum V se Vikram matlab main aur AV matlab hum

Planet: Monslickel Place: Asmodeus Palace

Bhuvika:- isse kya hua? itna khun? par ye thek kyu nahi ho raha? jaise hi Asmodeus apne
putra Beelzebub ko ya ye kahu uske aadhe mare hue sharir ko wapas lekar apne mahal
pahuncha toh Bhuvika Beelzebub ki haalat ko dekhkar shocked ho gayi

Asmodeus:- vyakulta adheerta ka dusra naam hota hai Bhuvika aur adheerta sirf swayam
ko ujwalit aur shaktishaali banane ke liye dikhani chahiye betuke sawal puchne ke liye
nahi Bhuvika Asmodeus ki baat sunkar chup ho gayi

Asmodeus:- Beelzebub ki haalat un do kaarano me se ek ki wajah se hui hai jiski wajah se


maine tumhe tumhari shaktiyon tak pahunchne se roka tha wo shaktiyon Beelzebub ki
hain aur agar tum un shaktiyon ko paa leti toh tum Beelzebub se jud jati aur agar aisa ho
jata toh jo haalat Beelzebub ki hai wahi tumhari bhi ho jati Bhuvika dhayan se Asmodeus
ki baaton ko sun rahi thi

Asmodeus:- aur ek baat jaisa ki maine bataya ki jin shaktiyon ko tum paana chahti ho wo
Beelzebub ki hain fir bhi Beelzebub Vikram ke saamne zyada der khada nahi ho paya aur
wo bhi tab jab Vikram ne Beelzebub ke upar apni puri shaktiyon se prahar tak nahi kiya
tha Beelzebub ki ye haalat tumhare liye seekh hai ki chaahe jo bhi ho jaye tum Vikram se
sidhe nahi takraogi shaktu milne jane ke pashchat jab bhi tumhe apne maha shakti shali
hone ki galat fehmi hone lage toh Beelzebub ki ye haalat yaad kar lena

Bhuvika:- fir mera badla kaise pura hoga

Asmodeus:- murkh ladki meri baaton ko bhulne ki galti kabhi mat karna Asmodeus ke
tarksatya se bhi zyada sacche hote hain tum badla logi par usme Vikram marega nahi par
haan uski zindagi zaroor mar jayegi Bhuvika ko Asmodeus ki baat toh samjh nahi aayi par
wo ye jaan gayi thi ki Asmodeus ke plans kabhi fail nahi hote Asmodeus ne apne bete ke
sharir ko jo ki usse kuch door hawa me tair raha tha usse apne paas aane ka ishara kiya
Beelzebub ke sharir ke apne paas aate hi Asmodeus ne apna haath Beelzebub ke seene
ke upar rakh diya aur upazamyati sardham atman vibjuti heal with my power spell bolte
hi Asmodeus ke sharir se ek kaali urja nikli aur uske saamne hawa me tairte uske bete ke
sharir me samane lagi kuch der tak ye kriya chalti rahi fir Asmodeus ke sharir se urja nikalni
band ho gayi Beelzebub ke saare zakhm theek ho chuke the uske sharir par naye kaale
vastr bhi aa chuke the par iske baad kuch nahi hua Beelzebub ka sharir abhi bhi hawa me
tairta hua pada tha wahi Bhuvika ko laga ki Asmodeus ke spell bolne ke baad Beelzebub
turant uth jayega par aisa kuch nahi hua iska kaaran janane ke liye Bhuvika Asmodeus se
kuch puchne hi wali thi ki haaa Beelzebub ek jhatke me uth gaya uske uthte hi uska sharir
zamin par aa gaya Beelzebub ko uthta dekh Bhuvika ne santushti bhari aans li hi thi ki
aahhh Beelzebub ke mouh se dard bhari chitkariyan nikalne lagi jise sunkar Bhuvika firse
shocked ho gayi par uska shock tab aur badh gaya jab usne Asmodeus ki taraf dekha apne
putra ko cheekhte hue dekhne ke baawajud Asmodeus ke chehre par muskurahat thi

Bhuvika:- ye isse kya ho raha hai?

Asmodeus:- isse jo zakhm hue the wo isse Vikram ne diye the jise meri urja ke alawa aur
koi thek nahi kar sakta tha par meri urja ko sambhalna aasan nahi hai ye dard isse meri
urja ki hi wajah se ho raha hai par fikr mat karo kuch hi der ki baat hai ye thek ho jayega
aur hua bhi aisa hi jaisa Asmodeus ne kaha tha kuch der tak asahaniya dard jhelne ke baad
dheere dheere Beelzebub ka dard kam hone laga aur fir khatam ho gaya apne aap ko
theek kar jab Beelzebub ne saamne dekha toh apne pita ko khada paya issliye wo turant
apne ghutno par jhuk gaya

Asmodeus:- aur koi khwahish? Asmodeus ke sawal par Beelzebub ne turant naa me sar
hilaya jise dekhkar Asmodeus zor se hasne laga wahi Bhuvika soch rahi thi ki Asmodeus
kis khwahish ki baat kar raha hai?

Bhuvika:- kaisi khwahish?

Asmodeus:- mere saath Vikram ka saamna karne ki khwahish baat darasal ye hai ki
Mirrors World se jab Beelzebub ko asli Asmodeus ne Cross World me bulaya tha aur apni
yojna batayi thi tab Beelzebub ne usse request kiya tha ki jab bhi Asmodeus aur Vikram
ka aamna saamna ho tab Beelzebub bhi apne pita ke saath milkar Vikram se lade tab
Asmodeus ne muskurate hue Beelzebub ko ek baar me hi haan keh diya tha Asmodeus ki
muskan Beelzebub ko rahasyamayi lagi thi par usne tab zyada dhayan nahi diya tha par
Vikram se hui yudh ke baad usse uske father ki muskurahat ke piche ka raaz samjh aa gaya
tha jiska matlab tha ki tere bas ki nahi hai bete Beelzebub ye sab soch hi raha tha ki tabhi
uske mann ye janane ki tivr iccha jaagrit hui ki uske behosh hone ke baad kya kya hua?
kyu ki bhale hi wo behosh ho gaya thapar wo janta tha ki Vikram ki bhi haalat thek nahi
thi aur uss haalat me jab asli Asmodeus aaya hoga toh usne zaroor Vikram naam ke kaante
ko hamesha ke liye hata diya hoga

Beelzebub:- father kya main kuch puch sakta hun?

Asmodeus:- Vikram zinda hai? Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub ko jhatka laga

Beelzebub:- what? par kaise? jab tak aap waha pahunche honge tab tak toh unki bhi
haalat kharab ho chuki hogi naa

Asmodeus:- Vikram ko uss jagah par maara nahi jaa sakta tha? Beelzebub ko ek aur baar
Asmodeus ki baat sunkar jhatka laga?

Beelzebub:- aisa kyu?

Asmodeus:- tum bhul rahe ho ki hamare beech yudh kaha hua tha? Fountain of Light ke
saamne fountain kabhi bhi Vikram ko apne saamne marne nahi deti ye bolkar Asmodeus
ne apna haath aage kiya Asmodeus ke saamne hi hawa me ek drishya dikhne laga ye wahi
drishya tha jisme Fountain of Light ne Vikram Avantika aur Alesendra ko apne andar
kheencha tha par jaise hi teeno andar gaye drishya band ho gaya

Beelzebub:- aapko toh hamesha se hi uss fountain ki saari shakti chahiye thi naa fir aapne
fountain ke prakat hote hi uski shaktiyan kyu nahi kheenchi

Asmodeus:- tum bhul rahe ho ki Vikram white energy ka malik hai wahi Fountain of Light
white energy se bhari hui sampatti aur malik ke rehte sampatti ko churaya nahi jaa sakta
iske piche aur bhi kaaran hai par wo tumhara jaanna zaroori nahi Asmodeus ne apne bete
ko toh dusra reason nahi bataya par main aapko bata deta hun baat ya fir ye kahu asli
kaaran hai supragupta book jo Vikram ke andar moujud hai aur jisme spear bhi hai
Fountain of Light ho ya fir book dono hi God ki divine aur pure shaktiyon ke pratik hain
aur jab dono ek saath ek jagah moujud ho toh koi bhi devil uss jagah par kadam tak nahi
rakh sakta uss jagah aur uski power ka faayda uthana toh door ki baat hai aur Asmodeus
apne bete ko supra gupta book ke bare me nahi batana chahta tha ye raaz bas un do
bhaiyon tak hi simit hai Asmodeus ki baat sunkar jahan Beelzebub sad tha wahi uske dil
ke kisi kone me excitement bhi badh gayi thi kyu ki wo ye baat ache se janta tha ki uske
father koi bhi kaam akaran nahi karte jab Vikram ko maarna hi nahi tha ya fir ye kahu ki
Vikram ko maara hi nahi jaa sakta tha toh apne secret ko (bhram maaya) reveal karne ki
zaroorat hi kya thi Beelzebub ko yakin tha ki itna kuch karne ke piche zaroor koi badi baat
hogi

Asmodeus:- tumhe sahi samjha iss yudh ke hone ke piche mera ek bohat hi maha tvapurna
uddeshya tha mujhe Vikram se kuch chahiye tha jo mujhe usse yudh karke hi haasil ho
sakta tha

Beelzebub:- kya? ye baat Beelzebub ne bohat excitement me puchi thi? wahi dono baap
bete ki baat sunkar Bhuvika bhi kafi excited ho gayi thi aur Asmodeus ki kahi aakhri baat
sunkar toh uski excitement apne charam par pahunch gayi thi wo bhi chehre par bechaini
aur aakhon me jigyasa liye Asmodeus ki taraf dekh rahi thi tabhi pratyakshi bhavati reveal
Asmodeus ne apne seene ke upar haath rakh iss spell ko uccharit kiya aur apna haath
saamne ki taraf kar diya Asmodeus ke seene ke thek beecho beech ek roshni hui aur uss
roshni ke beech Asmodeus ke andar se ek swarna bandaka (gold box) bahar aaya aur
Asmodeus ke hatheli ke upar aakar ruk gaya iss kriya ke dauran Beelzebub ko apni zindagi
ka sabse bada jhatka laga tha aur wo issliye kyu ki jab wo golden box Asmodeus ke seene
se bahar aa raha tha tab Asmodeus ke chehre par usne pehli baar dard ke bhaav dekhe
the jise usse kamsekam itna toh andaza ho hi gaya tha ki uss chote se box ke andar jo bhi
hai wo bohat khaas hai wahi box ke apne hatheli par aate hi Asmodeus ne usse khol diya
aur jaise hi Beelzebub aur Bhuvika ne uske andar rakhi cheez ko dekha dono ke chehron
par alag alag bhaav utpaan hue jahan Bhuvika ko kuch samjh hi nahi aaya wahi Beelzebub
ko kuch kuch andesha toh ho gaya tha usse ye bhi samjh aa gaya tha ki Asmodeus ko dard
kyu hua hoga par wo ye jaanna chahta tha ki uss chiz se jo uss box ke andar hai usse
Asmodeus karne kya wala hai

Bhuvika:- ye?

Asmodeus:- Vikram ka khoon Planet: Isla

Place: Guest Room

ab bhala ye kya baat hui? girl friend aap hamari hain par zyada tar waqt aap Alesendra ke
saath beeta rahi hain meri baat sunkar Avantika ke cheecks pink ho gaye bhale hi AV ki
pyar ki shuruat propose se naa hokar sidhe kiss se hui hobhale hi AV ki jodi purna nirdharit
hopar jab pehli baar ishq ka ehsaas hota hai rishton ko naye naam milte hain toh unse
mann main hararat paida hona normal hota hai aur wahi hararat iss waqt Avantika
mehsoos kar rahi thi
Alesendra:- aap ko fursat hi kaha hai apni girf friend ke liye kal se toh aap hamare pita ji
aur Lord Crusedar ke saath hi lage hue hain

Main:- arre waaha apne abhi girl friend kaha hamare grah ki bhasha sikh rahi hain aap

Alesendra:- haan maine toh aapse kaha tha naa ki mujhe aapke grah ki bhasha sikhni hai
toh seekh li meri aur Alesendra ki baaton ke dauran Avantika bas ek tak mujhe dekhe jaa
rahi thi

Subah ka waqt hai main toh kal hi apne aage ke safar ke liye nikalna chahta tha par king
Solomon aur Lord Crusedar ne mujhe ek din Isla me bitane ka nivedan kiya jise main mana
nahi kar paya jaisa ki maine bataya tha ki Isla bramhaand ka sabse khubsoorat grah hai
issliye main Avantika ke saath yaha ki waadiyon ka lutf uthana chahta tha par kal aisa
sambhav nahi ho paya kaaran king Solomon aur Lord Crusedar ne mujhe ek pal ke liye bhi
nahi chhoda tha alag alag vishayon me wo apna tark dete aur fir mujhe mera tark puvhte
uske baad kuch samay maine Defender ke saath bitaya uski saari shaktiyan toh jaagrit ho
chuki thi par un shaktiyon ke daayre ko badhane ke liye usse kya kya karna chahiye ye
main usse batane laga uske baad number aaya mere teeno doston ka jinme se toh bhaavi
raaja the aur ek Gluto ki raani teeno se kafi der tak main unke grahon ke bare me baat
karta raha meri aur Avantika ki mulakat sidhe raat ke dinner ke waqt hi hui thi par dinner
ke baad bhi mujhe kafi der tak king Solomon aur Lord Crusedar ke saath rukna pada aur
jab main unse bat khatam kar Avantika ke room me pahuncha tab tak wo so chuki thi
waise toh mujhe har cheez yunhi saaf saaf dikhti hai par fir bhi dyhan awashta me main
har cheez ki jad ko dekhne me zyatar kamiyab hota hun apne room me pahunch main
dhayan awashta me baith gaya kuch der tak apni family dono dost aur God's messengers
ko dekh aur kuch suggestions dekar main dhayan se bahar aaya kal ka pura din aur saari
raat yunhi guzar gayi thi par aaj ka agar pura din naa bhi sahi toh kamse kam pehla peher
main Avantika ke saath bitana chahta tha issliye main abhi Avantika ke room me aaya tha
jahan already Alesendra baithi hui thi

aage ke scene se pehle chaliye ek baar ye jaan lete hain ki Avantika mujhe ek tak kyu dekh
rahi hai kya chal raha hai uske dil me Avantika ke saamne se chalkar aane wala ladka jisne
abhi abhi usse apni gf kaha tha usse wo pichle 3 saal se janti thi par jis rishte se wo usse
janti thi uske maayne ab badal chuke the dhadkan toh mujhko dekhkar Avantika ki pehle
bhi tez hoti thi par ab toh uske sharir me behte lahoo ki gati bhi tez ho chuki thi aur jaise
hi maine Avantika ko apni gf kaha ussi waqt Avantika ke dil se ek awaaz aayi Vj sirf mera
hai aur ye khayal rakht sanchar ko tez karne ke liye kafi tha wo mujhe ektak dekhte hue
mere chehre mere wajud ko khudme samane ki koshish kar rahi thi

Main:- haseen bohat hain iss jahan me par tujhsa koi khoobsurat nahi hai meri baat sun
Avantika ke chehre par aisi muskurahat aayi ki aaj pehli baar aisa laga jaise mera shayri
kehna safal ho gaya wahi

Alesendra:- aap hamari touhin kar rahe hain Vikram kya hum khubsoorat nahi hain
Alesendra ne apni baat keh chehra ghuma liya Avantika ko ye acha nahi laga wo Alesendra
ko kuch kehne hi jaa rahi thi ki maine rok diya main dheere se Alesendra ke theek piche
pahunch gaya aur

Main:- tum wo pankti ho jo har shayar apni shayri me likhta hai Avni ki khusoorti uska aks
aayne me tumhare jaisa dikhta hai meri baat sun Alesendra palti uske chehre par muskan
nahi hasi thi

Main:- dekhiye madam ke chehre ko ye bas hum dono ki taang kheench rahi thi Avantika
ne kuch nahi kaha wo bhi hans di

Main:- AV kal ke liye sorry yaar kal hamare naye rishte ka pehle din tha aur main tumhe
time hi nahi de paya

Avantika:- tumhe mujhe kisi bhi cheez ke liye sorry kehne ki zaroorat nahi hai bhale hi tum
apne aap ko simple rakhna aur dikhana pasand karte ho par isse tumhari sachayi toh nahi
badal jayegi naa tumhari sachayi ki wajah se tumhe bohat si responsibilities bhi mili hain
jinpar agar tumne dhayan nahi diya toh iss pure universe ko uska khamiyaza bhugatna
pad sakta hai issliye pehle kaam fir main

Main:- (mann main) teri ye ada bhi mujhe bhaa gayi khud ko peeche rakh bhi tu sabse
aage aa gayi

Main:- thanks aur isse pehle ki tum kaho ki mujhe thanks kehne ki zaroorat nahi hai main
tumhe bata dun ki zaroorat hai kyu ki ek ache humsafar ke mil jane se dil ka bhoj kam ho
jata hai aur jab dil pe bojh kam ho toh dimag apne aap doudne lagta hai

Alesendra:- bilkul sahi aur kal waqt nahi bita paye toh kya hua aaj bita lo

Main:- issliye hi toh aaya hun AV kahi bahar chalen?

Avantika:- ek shart par? Avantika ki baat sunkar Alesendra chonk gayi par isse pehle ki wo
Avantika ke shart wali baat ke bare me kuch puchti
Main:- manzoor hai meri baat sunkar jahan Avantika ke chehre par smile aa gayi wahi
Alesendra ne bhi filhal ke liye bolna cancel kar diya

Avantika:- tumhe toh pata hai naa ki main kya puchne wali hun

Alesendra:- arre koi mujhe bhi batayega ki kis bare me baat ho rahi hai?

Main:- hmm kal fountain ke andar jo kuch bhi hua AV uske bare me puchhna chahti hai
meri baat sunkar Alesendra ke dimag me bhi kal ki wo ghatna taaza ho gayi jiski wajah se
usse bechaini hui thi

Alesendra:- kal ke bare me toh mujhe bhi kuch batana hai

Main:- tum jo soch rahi ho uss baat ki chinta mujhe bhi hai par mujhe filhal uss bare me
koi jaankari nahi hai

Avantika:- kis bare me baat ho rahi hai?

Alesendra:- main hamesha se hi Asmodeus ki saari urjaon ko mehsoos kar sakti hun kal
jab nakli Asmodeus Vj se ladh raha tha tab bhi maine uss urja ko feel kiya tha aur jab asli
Asmodeus aaya tab bhi par jab asli Asmodeus aaya toh uske andar ki urja ka bhaav kuch
alag sa tha aisa lag raha tha jaise uske andar sab kuch halka ho gaya hai aisa pehle kabhi
bhi nahi hua

Main:- hmm filhal iss bare me soch kar koi faayda nahi sahi waqt aane par sab apne aap
pata chal jayega maine Alesendra ko bol toh diya tha par usne jo kaha tha uski tension
mujhe bhi thi par filhal ke liye maine apna dimag jhatak diya

Main:- aur jahan tak aapka sawal hai jo roshni se bane kanche tum dono ke andar hain
aur jo kanche mere andar hain wo bhavishya waaniyan hain jo sahi waqt aane par khudhi
hamare saamne aa jayengi

Avantika:- ek sawal ab bhi rah gaya fountain se nikalne se just pehle tumne kuch der tak
apni aakhen band ki thi aur uss dauran tumhare chehre par kuch pal ke liye dukh ke bhaav
aaye the kyu? Avantika ki baat sunkar jahan Alesendra chonk gayi wahi main muskura
utha Avantika kis hadh tak mujhe samjhne lagi hai ye uski baaton se pata lagne laga hai

Main:- Courious ki wajah se mere mouh se Courious naam sunkar Alesendra chonk gayi
aur chonkti bhi kyu naa yahi toh wo grah tha jiski sakaratmak urja se unka grah bana tha
jahan Alesendra shocked hue khadi thi wahi Avantika ko kuch samjh nahi aaya aur isse
pehle ki Avantika ya Alesendra kuch kehte
Main:- Courious wo planet hai jiski wajah se Isla bana hai par ab wo planet iss bramhand
ke anbujhe paheliyon me se ek ban gaya hai usse Asmodeus ne kisi banjar grah ke andar
chhupa diya hai

Alesendra:- ye sab toh mujhe maalum hai par aap uski wajah se fountain me udaas kyu
hue the? Alesendra ki excitement dekhte hi banti thi

Main:- tumhare grah ke janm ka kaaran jis sakaratmak urja ke bare me fountain ne tumhe
bataya hai wo khud fountain hi hai aur main udaas issliye hua tha kyu ki fountain ne mujhe
Courious ke logon ki haalat dikhayi thi jo ki bohat dayaniya hai Asmodeus ne uss grah ke
logon ke beech ek shraap ko daala aur uske baad uss grah ko chhupa diya taaki agar koi
chaahe bhi toh waha ke logon ko theek naa kar paye par kyu ki fountain wahi ke logon ki
den hai isliye unse ye aaj bhi judi hui hai wo fountain hi thi jisne mere dimag me uss grah
ke haalat ko sapne ke roop me dikhaya tha aur mujhe waha moujud ek ladki ke through
uss shraap ke naam se agwat karaya tha jise hazaro saalon se wo bekasur log jhel rahe
hain

Avantika:- par dhayan ke aakhri palon me tumhare chehre par ek muskaan aayi thi wo
kyu? main Avantika ki baat sunkar fir muskura utha agar aisa hi chalta raha toh ek din ye
meri har hasi aur har gum ka account bhi manage karne lagegi

Main:- wo issliye kyu ki fountain ne mujhe wo grah bindu dikha diya hai jiske zariye main
Courious tak pahunch sakta hun

Alesendra:- kya? sach main bata nahi sakti ki meri kitni iccha hai ek baar un logon ko
naman kar sakun jinse mera aur mere grah ka astitva hai

Main:- fikr mat karo sab kuch thek ho jayega

Alesendra:- wo toh hoga hi aap jo saath hain

Main:- aapki shart ya ye kahu ki aapke saare sawalon ke jawab main de chuka hun toh kya
ab hum kahi bahar chalen Avantika ne kuch nahi kaha bas muskurate hue han me apni
palkon ko jhapkaya par mujhe uski muskurahat ke piche ek udaasi dikhi par Alesendra ke
saamne maine kuch kehna sahi nahi samjha

Main:- agar chal kar mahal ke mukhya dwar se hote hue bahar gaye toh hamare piche
bheed lag jayegi kis kis ko mana karta rahunga hum sidhe hi chalte hain ye kehkar maine
Avantika ka haath thaama hi tha ki
Alesendra:- Vikram tumne kaha ki tumhe fountain ne kisi ladki ke mouh se waha moujud
shraap ka naam bataya tha kya hai waha par faile shraap ka naam?

Main:- Curse of the Sweet Poison Avni ka haath thaame maine apni baat kahi aur hum
dono gayab ho gaye

Place: Floating Mountain

Avantika:- wow aisa nazara maine aaj tak nahi dekha kamal hai naahar sadi me ek se ek
painters ne janm liya par prakriti se bada chitrakar aur koi nahi iss waqt hum Isla ke sabse
unche floating mountain ke upar khade the floating mountain matlab aisa mountain jo
hawa me tair raha ho saamne ka nazara adhbhudh tha hamare pairon ke neeche se hi
kuch chowdi jagah khuli hui thi jiske akhri chhor se jharna beh raha tha saamne hamare
pahad ki hi tarah kayi pahad hawa me tair rahe the hawa me halki halki thandak thi jo
mousam ko behad khushnuma bana rahi thi

Avantika:- agar tumhe bura na lage toh ek baat bataun?

Main:- bolo

Avantika:- bhale hi tum aur tumhara bhai God ke bete ho par unki sabse badi rachna tum
dono nahi ye prakriti hi hai jiske bina kisi bhi insaan ka koi astitva hi nahi ab iss pagli ko
kaun samjhaye ki agar main ya mera bhai haqiqat se naraz hone lagte toh kahani ka naam
attitude hota hi nahi

Main:- kya main kuch puchun?

Avantika:- hmm usne ye baat saamne nazare ka maza lete hue kahi

Main:- mere bhai ko jise devil lord bhi kaha jata haijab kal tumne usse itne nazdik se dekha
toh tumhe kaisa mehsoos hua?

Main:- pata hai jab yudh ke baad tum meri godh me aadhe behoshi ki haalat me lete hue
the aur jab tumhara bhai achanak prakat hua aur usne tum par hamla kiya toh kayi
thoughts mere dimag me aa jaa rahe the par ek thought tha jo lagatar mere dil mere
dimag me bana hua tha aur ab bhi bana hua hai aur wo ye ki wo kitna bhi taakatwar kyu
naa ho jaye kitni hi shaktiyan aur kyu naa haasil karle par un shaktiyon se wo bas kisi ko
maar sakta hai ya saza de sakta hai par kya wo kisi ko jeeven de sakta hai? nahi ye taakat
sirf God ke paas hai jis din tumhare bhai ko iss baat ka andaza ho gaya ki maarne wale se
bachane wala bada hota hai shayad uss din wo bekasuron ko maarna chhod de Avantika
ne apni baat khatam ki par jab kuch der baad bhi usse mera koi response sunayi nahi diya
toh wo meri taraf palti aur main ek tak usse dekh raha tha

Avantika:- kya hua? aise kyu dekh rahe ho?

Main:- jab dil ki baat zubaan kehne lage toh khubsoorti aur badh jati hai wahi dekh raha
hun iss baar Avantika ne sharma kar apni nazre nahi jhukayei wo bhi ek tak meri aankhon
me dekhne lagi najane kitne jhagde manupalations se hokar hum dono ka raasta guzra
hai aur fir ek din saare negetives side ho gaye aur hum dono dost ban gaye par jab rishta
dosti ka ho aur ehsaas mohobbat ka tab jhatke toh lagte hi hain aise hi kuch jhatke humse
bhi takraaye par kehte hai naa jab manzil tay ho toh kya fark padta hai ki raasta kaisa hai?
itne saare hurdles ke baad aaj main aur Avantika hum bankar ek saath khade hain

Main:- ek baat batao jab maine Alesendra se Courious ke bare me baat kar raha tha tab
tum udaas kyu ho gayi thi

Avantika:- tumhe nahi pata? tumse kya chhupta hai

Main:- maine tumhare mann ko padhne se khud ko rok liya hai

Avantika:- kyu?

Main:- ishq khud ek magic hai uske upar aur koi magic ka use karna acha nahi lagta

Avantika:- main bhi tumhare saath Courious jana chahti hun par tumne main kaha hum
nahi

Main:- waha khatra hoga AV

Avantika:- jahan khatra naa ho main waha jana bhi nahi chahti

Main:- thek hai hum saath chalenge

Avantika:- abhi

Main:- abhi kya tum yaha aur kuch der nahi bitana chahti

Avantika:- main janti hun ki jab tak tum waha ke logon ko unki problems se chhutkara
nahi dila dete tumhare dil ko chain nahi aayega aur main aisa kaise hone de sakti hun?

Main:- thek hai chalte hain par usse pehle yaha par ek aakhri kaam bacha hai wo karlen
ye kahkar maine apna haath aage badhaya jise Avantika ne thaam liya aur agle hi pal hum
dono gayab ho chuke the
Place: Grah Setu

Main:- ab hume jana hoga Defender main Avantika ko lekar sidha Grah Setu ke pravesh
dwaar ke saamne prakat hua mere prakat hone ke agle hi pal Defender bhi mere saamne
prakat hua mera aakhri kaam yaha par issi jagah par tha

Main:- waise toh oupcharikta kehti hai ki main king Solomon Lord Crusedar aur puri praja
se ek baar aur bhet karun par usme samay lag jayega jahan mujhe jana hai waha ke logon
ne bohat dard saha hai aur ab jab main unke dard se awgat hun toh mujhse ruka nahi
jayega

Defender:- lord aapka har faisla manushya jati ke hith me hi hota hai fir uspe sawal kaisa?

Main:- aayiye mere saath ye kahkar main aur Avantika grah Setu ke pravesh dwar ke andar
chale gaye aur hamare peeche peeche Defender bhi aa gaya acchedya dvaram sardham
swah tejaswita unbreakable door with my energy spell bolte hi mere body se tez white
kirne nikli aur tezi se grah Setu ke dono pravesh dwaaro ki tarf chal padi agle hi pal dono
pravesh dwar ke charon taraf ek tez chamak ubhri aur fir sab normal ho gaya

Main:- ye grah Setu ab puri tarah safe hai agar kabhi dono grahon par koi akasmik vipada
aaye toh mere aane tak aap dono grah ke logon ko iss grah Setu ke andar le aayiyega
sabke andar aate hi grah Setu ke dono dwaar apne aap band ho jayenge bahuprayogam
stalikha multi use plate mere spell bolte hi mere haathon me ek badi si plate aa gayi

Main:- dwaar ke band hone ke baad aap kisi bhi tarah ka spell ka prayog nahi kar payenge
aisi sthi thi me iss plate se jo bhi chiz maangenge ye aapko de degi Defender ne mere
haathon se uss plate ko le liya ye sab maine issliye kiya tha kyu ki mere bhai ka koi bharosa
toh tha nahi agar wo fir koi game khele toh kamse kam yaha ke logon ke paas kuch back
up toh ho

Main:- ab aap bahar jaayiye hume jahan jana hai waha jane ke liye ye jagah uchit hai
Defender ek baar mere aage jhuka aur fir waha se chala gaya maine ye jagah issliye chuni
kyu ki Courious ki grah bindu ke andar se hote hue Courious tak pahunchne ke liye mujhe
bohat zyada concentrate karne ki zaroorat thi aur ye jagah bohat shaant thi yaha dhayan
lagana bohat aasan tha maine Avantika ka haath thaama aur neeche baith gaya

Main:- AV main apne chith ko tumhare chith ke saath jodne jaa raha hun apni aakhen
band karo aur jahan mera chith le jaye waha chal padna Avantika ne haan me sar hilaya
aur aakhen band kar baith gayi agle hi pal mera chith Avantika ke chith se jud chuka tha
hum dono ke hi maathe se tez roshni prakashit ho rahi thi wahi main apne chith ke sahare
ek roshni numa anant raaste me doude jaa raha tha hume doudte hue kafi waqt guzar
chuka tha par mujhe abhi tak hamari kaam ki cheez nahi dikhi thi mujhe kisi ki talash thi
aur wo cheez kuch aur door tak aage jane ke baad mujhe dikh gayi main aur AV uski taraf
badh gaye wo ek kaala ubharta hua sa gola tha jo kisi pal chota ho raha tha ur kisi pal bada
par jaise hi main uske paas gaya mujhe apne sar me tez dard hone laga aisa hi dard
Avantika ke sar me bhi ho raha tha par humne haar nahi maani ek dusre se jude rahkar
hum ek dusre ke dard ko peene lage aur kuch der tak jab wo kaala gola hamare
concentration ko hila nahi paya toh uss gole se do rays nikli jisne mujhe aur Avantika ko
jakad liya aur agle hi pal main aur Avantika uss gole ke andar chale gaye yaha hamare
chith uss gole ke andar gaye waha grah Setu me moujud hamari bodies bhi gayab ho gaye

Planet: Monslickel Place: Asmodeus palace

aapka koti koti dhayanyawad devil lord

Asmodeus:- dhanyawaad kamzoron ke shabdkosh me upyog hone wala shabd hai Bhuvika
dhanyawad kehne ke bajaye jo kaam tumhe soumpa gaya haiuspe apna saara dhayan
kendrit karo yaad rahe main sirf raasta dikha sakta hunus raaste ki manzil tak tumhe khud
pahunchna hoga halki si chukaur tumhara astitv khatam ho jayega aur tumhe mitane wala
aur koi nahi main hi rahunga Asmodeus ko apni yojna me baadha ya kisi bhi kism ki
rukawat pasand nahi hai

Bhuvika:- aisa kabhi nahi hoga devil lord aur agar hua toh aapko kuch karne ki zaroorat hi
nahi padegi main khud apne aap ko khatam kar lungi ye bolte waqt Bhuvika ki aankhen
krodh se laal ho chuki thi aur uski vaani me ek gazab ki dridhta thi jise dekh kar Asmodeus
ke chehre par vijetaon wali muskaan aa gayi

Asmodeus:- apni manzil ko shighr khojo mere bhai tumhari manzil hi meri jeet hai iss baat
ko bolte waqt Asmodeus ke aankhon ke saamne ek live drishya chal raha tha aur ye
drishya wahi tha jisme Vikram Avantika ka haath pakad dhayan awastha me baith grah
bindu ke zariye Courious me pahunchne ki koshish kar raha tha wahi Bhuvika ne jab
Asmodeus ki baat sunitoh usse kuch samjh nahi aaya wo Asmodeus se uski baat ka matlab
puchne hi wali thi ki Bhuvika ke baaju me ek kaala dhua utha aur ussi dhuen ne kuch hi
palon me Beelzebub ka roop le liya

Beelzebub:- kaam ho gaya father

Asmodeus:- mujhe pata hai jaise hi Asmodeus ne apne seene ke andar se swarna box ko
nikala aur Bhuvika aur Beelzebub ko bataya ki uss box ke andar Vikram ka khoon hai tabhi
se un dono ke dimag me bohat se sawal gunj rahe the par Asmodeus se kuch bhi puchne
ki himmat unme se kisi me bhi nahi thi Asmodeus bhi un dono ki mano dasha ache se
janta tha par kuch kehna chhod usne kuch kiya jise dekhkar Beelzebub aur Bhuvika ki
aankhen badi ho gayin bandhaniya capture Asmodeus dwara iss spell ke uccharit hote hi
kuch naya hua jise Bhuvika aur Beelzebub dekh toh paa rahe the par unhe kuch samjh
nahi aa raha tha uske baad Asmodeus ne Beelzebub ko ek kaarya diya jise sunane ke baad
Beelzebub ki jigyasa apne charam par pahunch gayi aur wo Asmodeus se puche bina nahi
rah paya

Beelzebub:- isse kya hoga father?

Asmodeus:- iska jawab tum khud Vikram ki zubani sun lena Asmodeus ki baat sunne ke
baad Beelzebub ke paas apne father dwara soumpe gaye kaam ko pura karne ke alawa
aur kuch nahi bacha tha issliye apne kaam ki cheez ko le wo Asmodeus ke saamne sar
jhukakar gayab ho gaya aur kuch hi der baad apna kaam khatam kar punah prakat ho gaya

Asmodeus:- ab tum dono apne gantavya ki aur turant agrasit ho jaao Bhuvika jab tak main
naa kahu aage mat badhna Bhuvika ka sawal uske mann main hi reh gaya wo aur Bhuvika
ne sar jhukayea aur gayab ho gaye

Planet: Yeluptus Place: Stormy Desert

Beelzebub:- tayar ho

Bhuvika:- hamesha apna word confidently bol Bhuvika dyan awashta me baith gayi aur
kuch hi palon me uska chith uske shaktiyon ke baadal ke saamne khada tha Bhuvika ne
wapas apni white shaktiyan jo usse sarhad par mili thi usse khud ko dhak liya aur aage
badhi samay sanchalakon ki ray rope ne fir Bhuvika ko rokne ki koshish ki par Bhuvika ke
charo taraf faile white energy ke dhuen ki wajah se wo kuch kar nahi payi Bhuvika chalti
hui apni shaktiyon ke saamne khadi ho gayi par wo aage nahi badh rahi thi aur tabhi

Asmodeus:- ab ye wahi waqt tha jab Vikram aur Avantika ko uss kaale gole ne apne andar
kheench liya tha jiske baad Vikram aur Avantika ke sharir bhi gayab ho gaye the Asmodeus
ki awaaz ke kaan aur chith me gunjte hi Bhuvika apne shaktiyon ke beech utar gayi dhayan
me baithi Bhuvika ka sharir hawa me uthne laga uske charon taraf white aur black energy
ki rays ghumne lagi aur dheere dheere wo saari rays Bhuvika ke andar sama gayi jaisa ki
maine bataya tha ki Yeluptus ab ek banjar grah tha par Bhuvika ke andar dono energies
ke samate hi Yeluptus ke vaayu mandal me hazaron saalon ke baad bijli kadki bijli kadakte
hi Bhuvika ki aankhen khul gayi Bhuvika ke aankhon ki putliyan lagatar apna rang badal
rahi thi kabhi wo kaali ho jati toh kabhi safed Beelzebub jo iss waqt Bhuvika ke saamne hi
khada tha uske chehre par bhi Bhuvika ke naye roop ko dekhkar muskaan aa gayi
Beelzebub ki hi tarah Bhuvika ke sharir par bhi lambe vastra aa gaye par Bhuvika ka vastra
aadha kaala tha aur aadha sweth abhi dono me se koi kuch kehta usse pehle hi dono
gaayab ho gaye aur agle hi pal wo dono Asmodeus ke saamne the

Asmodeus:- shakti mubarak ho Bhuvika Bhuvika jisne apni shakti haasil karne ke baad abhi
tak ek shabd bhi nahi kaha thauske labh hile

Bhuvika:- ab?

Asmodeus:- tumhara pratishodh aur apni baat adhuri chhod Asmodeus ne apna haath
aage kiya jiske upar agle hi pal kuch aa gaya

Asmodeus:- iska upyog karne ka waqt aa gaya

Beelzebub:- ye toh

Asmodeus:- hmm mere naayab sangrahon me se ek samay sanchalakon se meri haasil ki


hui parivartak

Place: Heaven

kya aap dono bhi wahi mehsoos kar rahe hain jo main mehsoos kar raha hun

St Cecilia/St Alfrick:- haan St Sebastian ke sawal me bhi ek kism ki gabrahat thi aur wahi
gabrahat baaki ke dono Saints ke jawab me bhi thi

St Cecilia:- sadiyon pashchaat aaj hume parivartak ki urja mehsoos hui hai

St Alfrick:- par kya faayda jab se Lord of Angels ko apni shakti mili hai tabhi se Asmodeus
ne khudko aur khudke aas paas ho rahi sabhi mahatvapurn gati vidhiyon ko nazar bandh
kar diya hai hum parivartak ko mehsoos toh kar sakte hain par usse dekh nahi sakte

St Cecilia:- par samasya wo nahi hai hum parivartak ko issliye mehsoos kar paa rahe hain
kyu ki Asmodeus ne churane ke baad pehli baar usse saamne laya hai hum sabhi angels
Lord of Angels ki urja se jude hue hain aur ye koi sanjog nahi ho sakta ki jaise hi humme
lord ki urja mehsoos hona band hua thek ussi waqt parivartak ki urja ne hume khud se
awgat karaya

St Alfrick:- kintu hum lord ko mehsoos kyu nahi kar paa rahe hain aisa lag raha hai jaise
wo hum sabhi se kat gaye hain
St Sebastian:- asli chinta ka vishay ye nahi hai ki hum lord ko mehsoos kyu nahi kar paa
rahe hain chinta ka vishay ye hai ki kya wo humme mehsoos kar paa rahe hain kyu ki agar
aisa nahi hai toh iska arth ye hai ki wo pariwartak ko bhi mehsoos nahi kar paa rahe honge
aur aisi sthi thi me parinaam bohat bhayankar ho sakta hai

St Cecilia:- par hum kar bhi kya sakte hain hum toh un tak pahunch bhi nahi sakte ab jo
bhi kare ge wo lord hi kare ge yaha Gods messenger iss ummid me the ki Lord of Angels
kuch kare ge par wo ye nahi jante the ki Asmodeus aisa hone nahi dega jab tak Vikram
game ko samjhega Asmodeus game khatam kar chuka hoga

Planet: Raw Planet banjar grah Place: Rocky Land

ye hai Courious par yaha ke atmosphere me toh oxygen ko rivive karne wale particles hi
nahi hain aur naahi pani ko ek second Avantika bolte bolte ruk gayi

Avantika:- jab yaha oxygen hi nahi hai toh main saans kaise le rahi hun apni baat ya fir ye
kahu ki baat ke baad khudse hi sawal karne ke baad Avantika ne meri taraf dekha

Main:- meri body ke oxygen waves se

Avantika:- par par ke baad aane wala kaise Avantika ke andar hi reh gaya

Avantika:- kabhi kabhi main tumhari pehchaan bhul jati hun

Main:- meri pehchaan tumhari mohobbat hai bas ye baat hamesha yaad rakhna

Avantika:- oho mister romantic aapko nahi lagta ki filhal aapko uss problem pe focus karna
chahiye jo iss waqt hamare saamne hai

Main:- focus mujhe sirf uss grah bindu par karna tha jiske andar sama kar hum yaha
pahunche hain yaha pahunch gaye samjho Courious pahunch gaye

Avantika:- Courious pahunch gaye matlab ye Courious nahi hai?

Main:- nahi Asmodeus ne Courious ko jis banjar grah ke andar chupaya thaye wahi grah
hai

Avantika:- toh ab maine kuch nahi kaha bas apni index finger ko niche zamin me rakh
pressure diya aur agle hi pal zamin me darad padne lagi aur dekhte hi dekhte mere ungli
ke niche ki jagah do hisso me baat gayi aur un do hisso ke beech ek anant patli si khayi
dikhne lagi aisa hote hi meri ussi ungli se ek ray nikli jo uss zamin ke do hisso ke beech
aaye gap ke andar chali gayi aur agle hi pal jis gap ya khai me meri ray gayi thi waha se tez
roshni nikal bahar aane lagi

Avantika:- wow ye kaise hua?

Main:- Asmodeus ne iss grah ko andar aur bahar se apne black magic ke bandhan se
baandh diya tha jo ray meri ungli se nikli thi wo mere sharir ki urja thi jisne iss grah ke
andar ke kaali bandhano ko kaat diya hai ye roshni asal me wo raasta hai jo hume Courious
pahunchayegi

Avantika:- ohh par ye grah toh ab bhi banjar hai kya ye hamesha aisa hi rahega

Main:- ye grah toh hamesha aisa hi tha yaha zindagi kabhi nahi panpi par jaise hi Courious
azaad hoga wo iss grah ke maaya se alag ho jayega

Avantika:- haash chalo baaki saari problems toh khatam hui ab bas Courious ki problem
baaki hai

Main:- ek aur problem hai? Avantika meri baat sun chonk gayi

Avantika:- ek aur problem wo kya?

Main:- main bramhaand ki har jagah ko mehsoos kar sakta hun aur apne saare angels ko
har waqt dekh sakta hun par yaha aate hi mujhe bahari duniya ka kuch bhi nazar nahi aa
raha hai maine koshish bhi ki bahar jhankne ki par main nakamiyab raha

Avantika:- shayad iss jagah me faile magic ki wajah se tumne hi toh bataya tha na ki iss
jagah ko bramhaand ke nakshe se tumhare bhai ne chhupaya hua hai

Main:- hmm shayad par zyada der tak aisa rehna sahi nahi hai hume Courious ki problem
jaldi hi khatam kar wapas loutna hoga maine Avantika ka haath thaama aur uss roshni ke
upar haath rakha jo uss gap se aa rahi thi aur agle hi pal mera aur Avantika ka sharir bhi
ussi roshni me badal gaya aur hum uss gap ke andar chale gaye hamare andar jaate hi wo
gap apne aap bhar gaya aur tabhi jis jagah par main khada tha theek ussi jagah par ek kaali
aakruti abhri aur dekhte hi dekhte uss aakruti ne ek roop le liya sar se lekar kaale labadon
me dhaka hua wo shaksh uss viran grah ke beech khada muskura raha tha uske haathon
me kuch tha jise uski ungliyon ne aise jakda hua tha ye kuch aur kuch nahi parivartak tha
jise apne hatheli ki giraft me pakad Asmodeus ek tak uss jagah ki dekh raha tha jahan se
hote hue Vikram aur Avantika roshni me badal andar chale gaye the
Main:- jis grah ko maine pure bramhaand se hazaron varshon tak chuppa kar rakha tha
waha mere bhai tum aise hi chale gaye bina mujhse puche ye toh galat baat hai aur har
galti ki saza milti hai aur tumhari saza hai purvapari bhavati connect with each other
Asmodeus ne parivartak ko zameen ke upar rakha aur spell bola spell bolte hi parivartak
se invisible anginat rays nikalne lagi aur har taraf faile gayi rays nikal hi rahe the ki achanak
parivartak jo ki dikhne me gol sa tha aur uske beech me ek laal mani jaisi koi cheez rakhi
hui thi uss mani me laal roshni ubhari laal roshni ke ubharte hi Asmodeus ne uspar apni
ek ungli rakhi aur moksayati detach Asmodeus ke spell bolte uss laal mani ne kuch kiya
aur uska kaam khatam hote hi saare rays wapas parivartak ke andar sama gaye

Asmodeus:- maine apne hisse ka kaam kar diya hai bhai par mera baaki ka bacha kaam
main nahi kar sakta usse karne ke liye mujhe tumhari zaroorat padegi hahaha issi hasi ke
saath Asmodeus gayab ho gaya

Planet: Courious

Place: Snow Valley shhh kitni thand hai yaha roshni me badalkar hum jis jagah par
pahunche the wo ek barf ki chadar odhe hue valley thi issliye Avantika ko thand lagna toh
normal tha Courious mere dusre padhav ki aakhri paheli jahan suraj kabhi nahi ugta par
fir bhi har taraf biche barf aur snow ki wajah se hamesha halka halka ujala rehta hai main
charon taraf ka jaayaza le hi raha tha jab Avantika ne apni baat kahi jise sunkar main chonk
gaya mere chonkne ka reason Avantika ko thand lagna nahi tha balki mujhe bhi thand
mehsoos karna tha haalaki mujhpar thand ka asar Avantika ke mukable kam thapar fir bhi
tha toh sahi aur ye koi choti baat nahi thi jis bande ko surya ki garmi aur barf ke andar ki
thand tak se koi fark nahi padta usse sirf ek jagah par khade khade thand lagna zaroor koi
badi baat thi aur agle hi pal mera shak yakin me badal gaya kyu ki Avantika ke sharir ko
thand rahit banane ke liye maine apna haath uski taraf kiya par kuch bhi nahi hua matlab
main yaha magic nahi kar paa raha tha apni saari shaktiyon ko dekhne ke liye maine apni
aakhen band ki aur jo nazara mere chith ke saamne aaya usse dekhkar maine jhat se apni
aakhen khol di ye shock ki wajah se hua tha meri saari shaktiyon ko ya yun kahu mere
sharir ki har koshikaon ke aage ek diwal si bani hui thi jiska matlab ye tha ki main apni
shaktiyon ka use nahi kar sakta hun Avantika jo thand se thi turte hue mujhe dekh rahi thi
usse bhi mere har badalte expresions ko dekhkar ehsaas ho gaya tha ki kuch gadbad hai

Avantika:- kuch problem hai kya?

Main:- hmm meri saare powers yaha aate hi de active ho gaye hain Avantika meri baat
sunkar kar shocked ho gayi
Avantika:- buthow's that possible maine kuch nahi kaha bas neeche baith gaya aur neeche
zamin ko jo ki barf se dhaki hui thi usme apna right hand halka dhasa diya maine apni
aankhe band ki aur apni saari indriyon ko jagakar uss barf numa zamin ko mehsoos karne
laga meri indriyon ke jaagrit hote hi mere andar moujud shaktiyon me khalbali mach gayi
aur wo uss diwal ko jo unhe roki hui thi usse dhakka dene lagi isme wo puri tarah kaamiyab
toh nahi hui par aisa hone se mujhe hamere sawal ka jawab mil gaya aur saath hi ek aur
santushti purv tathya bhi mere saamne aa gaya

Main:- ye pura grah Asmodeus ke shrap ki wajah se prabhavit ho gayi hai aur aisi jagah
par sirf ek devil hi apni shaktiyon ka istemal kar sakta haikoi angel nahi

Avantika:- toh ab bina tumhare shaktiyon ke hi hume aage badhna hoga

Main:- kyu tum zyada der chal nahi paaogi?

Avantika:- mujhe ye toh nahi pata tha ki iss safar me kaisi kaisi problems aayengipar itna
zaroor pata tha ki problems aayengi zaroor aur maine toh tumse pehle hi kaha tha naa ki
jisme khatra na homujhe aise safar me jana hi nahi hai maine toh ye sawal issliye pucha
tha kyu ki bina tumhare shaktiyon ke hume pata kaise chalega ki hume jana kaha hai yaha
toh door door tak kisi insaan ka naamo nishaan tak nahi dikh raha hai aur jaisi thand yaha
par padh rahi hai usme zyada safar karna shayad mumkin naa ho

Main:- hmm par hamare paas koi option bhi toh nahi hai par haanye safar jitna bhi mushkil
aur lamba kyu naa ho tumhe pareshan hone ki zaroorat nahi hai meri aloukik I mean
angel's shaktiyan kaam nahi kar rahi par sharirik aur maansik shakitiyan abhi bhi intact hai
aur in shaktiyon ke bal par toh main tumhe apni godh me uthakar iss pure grah ka chakkar
laga sakta hun ye kehkar maine Avantika ko apni godh me utha liya

Avantika:- arre main itni bhi naazuk nahi hun filhal mujhe chalne do jab main thak jaaungi
tab mujhe apni godh me utha lena chalne se meri thand bhi kuch kam ho jayegi

Main:- thand ki chinta mat karo ye kehkar maine apni aakhen band ki aur ek aur baar apni
indriyon ko jaagrit kiya maine apne chith ko apne khoon ki taraf mod diya aur jaise hi mera
chith ne mere khoon ko chua mera khoon garam hone laga ye sab mere andar ho raha
tha par aisa hote hi meri sharir se heat waves nikalkar Avantika ke andar samane lage aur
kuch hi palon me Avantika ka sharir warm ho gaya ab usse thand nahi lag rahi thi apna
kaam khatam kar jab maine apni aakhen kholi toh Avantika ko khud ko ghurta paya

Avantika:- tum toh keh rahe the ki tum yaha magic nahi kar sakte
Main:- maine magic nahi kiya ye sab toh meri khudke senses ko apne khoon se jodne ki
vidhya ki wajah se hua hai ye mujhe Guru ji (Baba Vishakht) ne sikhayi thi ye bolte hue
mere chehre par ek muskaan naach gayi

Avantika:- kya hua hans kyu rahe ho

Main:- kitni ajeeb baat hai naa mere pehle safar (first chapter) ke antim padhav (Dhawali
jheel) ke waqt bhi mere paas koi aloukik shaktiyan nahi thi uss waqt bhi mere charon
Guruon ki di hui shikhsa aur prashikshan hi mere kaam aayi thi unhi ke bal par main uss
safar me kaamiyab ho paya tha aur iss safar (second chapter) ke antim padhav (Sweet
Poison) ke waqt bhi wahi shikhsha wahi vidhya mere kaam aa rahi hai pata hai AV log jab
badi badi mile stones achieve karte hain toh apne roots bhool jaate hain wo un chizon ko
aur un logon ko bhool jaate hain jinki wajah se unki safar ki shuruat hui thi unhe apni
shuruati dour ki seekh aur vidhya yaad nahi rehti aur naa hi wo achievements jo unhe uss
shuruati vidhya ki wajah se mili thi par bewakuf itna bhi nahi samjhte ki unki shuruati
vidhya prashikshan hi unke bade bade achievements ka base hai agar base hi nahi rehta
toh wo kabhi bhi uchayiyon ke shikhar par nahi pahunch paate apni baat khatam kar jab
maine Avantika ki taraf dekha toh paya ki wo mujhe hi ek tak dekh rahi hai

Main:- kya hua?

Avantika:- jab tumhari asliyat mujhe nayi nayi pata chali thi toh main hamesha ye sochti
thi ki tum hi kyu? par ab saaf pata chalta hai ki tum hi kyu? ek baat kahu tumhari shakti
ka shroth koi energy nahi tumhari soch hai jab tak ye tumhare saath hai tum har imtihan
me paas hoge

Main:- galat tum bhul rahi ho ki tum meri kya ho shakti jab tak tum mere saath ho main
jitni baar girunga wapas khada ho jaaunga maien Avantika ka haath thaama aur hum apne
iss anjaan safar par nikal pade ye situation kafi tensed thi manzil kitni door hai pata nahi
raaste me kya kya ho sakta hai iska koi andaza nahi meri hi shaktiyan meai ab use nahi kar
sakta tha pure brahmhaand se mera sampark toot chuka tha itne saare negetives ke
beech bhi Avantika ka mere saath hona mere normal khush aur positive rehne ke liye kafi
tha hasi mazak karte hue hum najane kitni der tak chalte rahe hume pata hi nahi chala
aur shayad aage bhi pata nahi chalta agar mmmm iSs awaaz ke kaan me padte hi jahan
main satark ho gaya wahi Avantika ne dar ke mera baazu pakad liya

Main:- daro mat kuch nahi hoga

Avantika:- par ye awaaz


Main:- bacho ye bolkar main Avantika ko liye ek taraf jhuk gaya jhukne ke agle hi pal jab
maine aur Avantika ne saamne dekha jahan saamne dekhkar meri satarkta aur badh gayi
wahi Avantika ka dar se bura haal hone laga

Avantika:- ye toh

Main:- bhediya hai ji haan dosto iss waqt mere aur Avantika ke saamne ek bhediya khada
tha jise maine hamare saamne aane se pehle hi mehsoos kar liya tha aur jaise hi usne
mujhpar chalang lagayi main Avantika ko saath lekar jhuk gaya

Avantika:- par iska size itna zyada kaise hai aur iski aankhen baar baar rang kyu badal rahi
hain

Main:- pehle toh tum ye darna band karo maine kahanaa ki kuch nahi hoga

ouch ye awaaz Avantika ke mouh se nikli thi reason hum baat kar hi rahe the ki wo bhediya
jo ki humse kuch feet door hamare saamne khada tha usne humpar chalang laga di par
main satark tha uske chalang lagate hi maine bhi Avantika ke kamar ko pakda aur chalang
laga di hum dono ka sharir hawa me tairta hua bhediye ke upar se hota hua waha land
hua jahan kuch der pehle wo bhediya khada tha kyu ki ye sab bohat jaldi hua tha issliye
Avantika ke kamar ko hold karte waqt maine apna grip halka tight rakha tha jis wajah se
Avantika ke mouh se ouch nikal gaya tha

Main:- iss grah ki hi tarah iss bhediye ke upar bhi shraap ka kuch asar hua hai iski aankhen
jo kabhi kaali aur kabhi safed ho rahi hain ye ussi wajah se hai aur iski hieght bhi black
energy ka side effect hai

Avantika:- toh ab

Main:- ab ye mmmm ye awaaz bhediye ke mouh se aa rahi thi jo iss waqt mere dono
haathon ke giraft me tha hua ye ki jab main Avantika ko uss bhediye ke bare me bata raha
tha tabhi usne dobara hamare upar chalang laga di par iss baar maine hum dono ko
defend karne ki nahi balki iss matter ko jaldi se niptane ka decide kiya jaise hi bhediya
apna mouh faade mere kareeb aaya maine uske jaws ko upar aur neeche se pakad liya
aur agle hi pal bhediya ka mouh do bhaagon me bat chuka tha maine bhediye ke dono
jaws ko pakadkar faad diya tha ek ajibo garib aawaz ke saath bhediya gir gaya aur uski
mout ho gayi

Avantika:- haash bala tali

Main:- ye problem nahi solution thi


Avantika:- matlab maine kuch nahi kaha bas uss bhediye ke mouh se jahan se fatne ki
wajah se khoon nikal raha tha uss khoon ko apne unglyon me liya aur agle hi pal meri
aankhen band ho chuki thi maine apni indriyan ek baar firse jaagrit ki aur jaise maine apne
khoon ko mehsoos kiya tha thek waise hi uss bhediye ke khoon ko bhi mehsoos karne laga
aur kuch hi palon me uss bhediya ki zindagi ka pura safar mere band aankhon ke aage
naach gaya aur issi ke saath mujhe meri kaam ki cheez bhi dikh gayi

Main:- chalo ab mujhe pata hai ki hume kaha jana hai meri baat sunkar Avantika shocked
ho gayi

Avantika:- kaise?

Main:- arre abhi jo maine iske khoon ko apne ungliyon me liya tha wo hamari manzil ko
dhundne ke liye hi toh kiya tha

Avantika:- matlab?

Main:- hum toh yaha abhi aaye hain par ye bhediya toh yahi ka hai naa toh isne yaha ki
har jagah dekhi hui hai main iske khoon se har uss jagah ko dekh raha tha jahan jahan ye
gaya hai aur issi dauran mujhe wo jagah bhi dikhi jahan main apne sapne me pahuncha
tha

Avantika:- wow chalo fir waise wo jagah yaha se kitni door hai?

Main:- zyada nahi yahi kuch 100 kms

Avantika:- what 100 kms aur tum isse zyada nahi keh rahe ho tum bhul rahe ho ki ab
tumhare paas tumhari powers nahi hain fir hum

Main:- correction mere paas sirf meri heavenly powers nahi hai par jab main wo nahi tha
jo ab hun tab bhi maine kafi kuch sikha tha jo aise tasks ke liye perfect hai

Avantika:- ok toh fir arre oh my God itna speed Avantika apni baat puri karti usse pehle hi
maine usse apni peeth me baith liya aur agle hi pal main doud raha tha aapko yaad hoga
ki Akshaant ne mujhe hawa ki tarah doudne ki kala sikhayi thi aaj wahi kala mere kaam aa
rahi thi par iss grah ke negetive energy ki wajah se meri speed jitni honi chahiye utni nahi
thi fir bhi kafi thi mere achanak Avantika ko apni peeth par bithane par Avantika shocked
hui aur meri speed dekhkar double shocked par maine usse filhal kuch bhi nahi kaha kyu
ki ek toh itni speed me usse kuch sunayi nahi deta aur dusra ab jab maine apne sapne wali
jagah dekh li thi toh waha pahunchne se pehle main kuch kehna nahi chahta tha
Main:- finally hum pahunch gaye kuch hi minaton ki daud ke baad hum uss mod ke paas
the jahan se mere sapne ki shuruat hui thi humse kuch hi door par kuch kache pakke se
gharon ka colony sa bana hua tha ye wahi jagah thi jahan main uss ladki ke peeche peeche
gaya tha

Avantika:- yaar speed itni thi ki meri aankhon se aansu nikal kar sukh bhi gaye par jab
maine Avantika ki baat ka koi jawab nahi diya toh usne meri taraf dekha toh mujhe
saamne ki taraf dekhta paya

Avantika:- hume yahi jana hai?

Main:- hmm yahi rehte hai wo log jo najane kitni sadiyon se tadap rahe hain Avantika ne
kuch nahi kaha bas mera haath thaam liya

Main:- hume ab aur deri nahi karni chahiye chalo milte hai yaha ke logon se aur jante hai
ki kya hai ye curse of the Sweet Poison hum dono aage badh gaye

Planet: the World of Warriors Place: Palace Hall

Lord Crusedar:- kaun ho tum aahhh

Planet: Isla Place: Palace Hall

King Solomon:- kaun ho tum ahhh

Planet: Gluto

Place: Palace Hall

Shaila:- kaun ho tum? ahhh

Planet: Courious Place: Destination

ye jagah toh puri khaali hai koi dikh hi nahi raha par maine Avantika se kuch nahi kaha bas
idhar udhar dekhta raha

Avantika:- kya hua? kya dekh rahe ho?

Main:- yaha ek gali honi chahiye main ussi gali se hokar aage gaya tha wo dekhowo rahi
maine ek taraf point kiya jahan ek sankari si gali thi main aur Avantika uss aur badh gaye
jab se hum dono uss colony numa jagah par pahucnhe the tabhi se mujhe kuch ajib sa feel
ho raha tha shayad issliye kyu ki yaha pahunchkar main uss dard ko aur zyada mehsoos
kar paa raha tha jo yaha ke log najane kitno varsho se bardasht karte aa rahe the aage kya
hoga iss sach se anjaan hum dono uss sankari gali se hote hue chalne lage jo thodi lambi
thi par kuch der chalne ke baad uss gali ka anth aa gaya ab hum barf ke ek bade se maidan
me khade the humse thodi door ek chota sa ghar tha bas aur baaki puri jagah khaali thi

Avantika:- ab? sapne me tum yaha se kaha gaye the saamne wale ghar me

Main:- hmm hum dono ussi makan ki taraf chal pade aur makan ke darwaaza pe pahunch
maine usse khat kataya par mere haath lagte hi darwaza khulta chala gaya iska matlab
usse bas yunhi atka kar rakha gaya tha khair hum dono andar chale gaye par andar koi
nahi tha

Avantika:- yaha toh koi bhi nahi hai maine kuch nahi kaha bas hum jahan khade the uske
peeche ek khidki thi wahi se main bahar ki taraf dekh raha tha

Avantika:- kya hua waha koi dikha kya?

Main:- nahi par pata nahi mujhe aisa lag raha hai jaise waha koi hai Avantika janti thi ki
meri sixth sense shuru se strong rahi hai issliye

Avantika:- toh chal kar dekhen kahi na kahi toh jana hi hoga toh wahi chalte hain

Main:- hmm main aur Avantika ghar se bahar aaye aur ussi taraf chal pade kuch der tak
aage chalne ke baad mere chehre par khushi chamakne lagi aur jab maine Avantika ki
taraf dekha toh uske chehre par bhi same bhaav the

Avantika:- u found them

Main:- we found them meri aur Avantika ki chaal aur tez ho gayi hoti bhi kyu naa jinke liye
hum itni door aaye hain hume aakhir wo mil jo gaye the

Wahi saamne

1st Person:- aakhir mera bhi waqt aa hi gaya iss dard aur andhere ki duniya se wapsi ka
Courious ke bache hue 1000 log iss waqt ek ped ki neeche ikattha hue the wo budhi aurat
ussi ped ke niche apni aakhri saanse lena chahti thi aur iska kaaran ye tha ki kisi zamane
me Courious me un pedo ki bharmaar thi ya fir ye kahu ki Courious me sirf wahi ped hua
karte the jo ki ab vilupt ho chuke hai bas ek wahi ped hai jo bacha hua hai par uski haalat
bhi kuch achi nahi hai naa toh uss ped me koi patta bacha tha aur na koi fal puri tarah
sukh chuka tha wo ped uss budhi ki baat ka kisine bhi koi jawab nahi diya sabhi chup chaap
aansu bahate khade rahe ki tabhi aahhh aisi hi dard bhari awaaz ek ek karke waha moujud
sabhi logon ke mouh se nikalne lagi unhone turant kuch khaya jiske khaate hi uska unke
saath jo ho raha thawo hona ruk gaya
Budhi:- Analia tumhari dadi ke antim waqt me jo kuch bhi hua aur uske baad tumhari dadi
ne jab bataya ki hamari madad karne ke liye hamare uddhar karta aayenge usse sunkar
ek ummid jagi thi par ab wo ummid bhi toot rahi hai ummid ka daaman kabhi nahi
chhodna chahiye kyu ki ummid wo rassi hai jiska ek sira parmeshwar ke haathon me hota
hai aur dusra hamare apne sire ki rassi ko chhodne ka matlab hai bhagwan ko chhodna ye
awaaz un sab logon ke piche se aayi thi jise sunkar sabhi chonk gaye aur jab un sab ne
apne piche palat kar dekha toh unki hairani ka koi thekana nahi raha jab se Courious
shaapit hua hai aaj pehli baar waha ke logon ne apne saamne kisi anya grah ke manushya
ko dekha tha aisa kuch hone ki unhone kabhi kalpana bhi nahi ki thi ek handsome sa ladka
aur ek khubsoorat si ladki jo un sab ko muskurate hue dekh rahe the main jo muskurate
hue sabhi ko dekha raha tha aur intezar kar raha tha ki wo sab shock se bahar aayen toh
main kuch kahu par isse pehle ki wo sab shock se bahar aate kisiko dekhkar main shocked
ho gaya wo buddhi aurat jo ki ek khaat par leti hui thi usne bhi meri awaaz suni thi wo bhi
dheere dheere uthi aur wo bhi baakiyon ki tarah mujhe aur Avantika ko dekhkar shocked
ho gayi main jise dekhkar shocked hua tha wo bhi apne aakhon me hairat liye meri taraf
aane lagi khair wo ladki ab tak mere kareeb aa chuki thi

Ladki:- kaun hain aap? uss ladki ki awaaz sunkar main fir chonka kyu ki ye awaaz maine
apne sapne me suni thi par uss waqt mujhe uska chehra dhundla sa dikha tha jis wajah se
main usse dekhte hi nahi pehchaan paya tha

Main:- aap Analia hain haina meri baat sunkar wo aur uske piche piche waha khade saare
logon ke dimag me short circuit hone lage

Analia:- aaapp kkoo meerra naamm kaaiiisee paatttaa cchhaalllaa Analia ne ladkhadati
awaaz me apni baat kahi par isse pehle ki main usse koi jawab deta aahhh ye dard bhari
awaaz waha moujud har Courious waasi ke mouh se ek ke baad ek nikalne lagi kisi ke
haath par ek cut lag raha tha toh kisi ke paaon par toh kisi ke chehre par par fir un sab ne
kuch khaya jise uss cut se bane ghaaw bane the wo apne aap bhar gaye jahan Avantika ye
sab dekhkar shocked aur dukhi ho rahi thi wahi main kuch soch raha tha aur isse pehle ki
koi kuch kehta

Main:- toh yahi hai curse of the Sweet Poison meri baat sunkar sabhi firse shocked ho
gaye par jahan Avantika ye sunkar kar shocked thi ki yahi wo curse hai jise thek karne ke
liye hum yaha aaye hai wahi Courious waasi ye sochkar shocked the ki mujhe kaise pata
ki wo kis curse se grasit hain
Analia:- aapko kaise pata hamre shraap ka naam aur aapne ab tak nahi bataya ki aap hai
kaunyaha kaise aa gaye aur aapko mera naam kaise pata?

Main:- main wahi jiska zikr aapki dadi ne kiya tha yaha meri baat khatam hui waha
Courious waasi apne ghutno par aa gaye sabki aankhon se aansu nikal pade rote toh wo
sab shraap ke milne ke baad se hi aa rahe the par aaj najane kitne sadiyon baad unke
aansu dukh ke nahi balki khushi ke the

Main:- uth jaayiye maana main wahi hun jo aapki madad kar sakta hai par main koi
uddharkarta nahi hun mujhe bas jo kaam soumpa gaya hai main unhe pura kar raha hun
aur Analia maine aapko apne sapne me dekha tha par aapke chehre se anjaan tha kyu ki
sapne me aapka chera dhundla tha par aapki awaaz mujhe saaf sunayi di thi aur aap mere
sapne me issi curse ke bare me baat kar rahi thi issliye mujhe iske bare me pata hai mere
bolne ke baad bhi sabhi Courious waasi apne ghutno par bhi the aur ek tak mujhe dekhte
hue meri baatein sun rahe the

Main:- kripya khade ho jaaiye mere dobara bolne par sabhi khade ho gaye par unme se
koii kuch kehta usse pehle hi aahhh ahhh jaisa un logon ek saath hamesha se hota aa raha
hai wo fir hua ek lamba cut aur cut aate hi unke haathon me jo phal tha usse unhone
khaya jise khaate hi wo cut gayab ho gaya main uss phal ko dhayan se dekh raha tha wo
phal apple ki tarah dikh raha tha par uska size apple se bada tha main uss phal ko dekh hi
raha tha ki tabhi main chonka aur mere chonkne ki wajah ye thi ki jis phal ka bite unhone
liya tha cut ke bharte hi uss phal ki bite ki hui jagah firse bhar gayi thi

Analia:- mere malik kripya hamari madad kare iss curse se hame mukti dilayiye

Main:- pehli baat mujhe malik naa kahe mera naam Vikram hai mujhe issi nam se
sambodhit kare aur dusri baat mujhe ab tak nahi pata ki iss curse ko kaise khatam kiya jaa
sakta hai

Sab:- kya? meri baat sunkar sab pehle shocked hue fir udaas unke dil me jo ummid ki kiran
jaagi thi wo wapas mitne lagi

Analia:- toh ab?

Main:- ab kya? aap sab ne meri baat thek se nahi suni maine kaha ki ab tak mujhe nahi
pata ki curse ko kaise khatam kiya jaa sakta hai ye nahi ki mujhe pata hi nahi chalega sabhi
meri taraf sawalia nazro se dekhne lage
Avantika:- pehle ye toh bataiye ki ye curse hai kya? mera matlab ye cuts pe aap sab ka
fruit khaana jise cut mit jana uske baad fir ye sab aakhir ye kaisa shraap hai

Main:- hmm mujhe nahi lagta baat bas ye cut aur iss phal ki hai kuch baat aur bhi hai jo in
sab se badi hai par mujhe lag raha hai ki wo baat bhi iss phal se judi hui hai haina Analia

Analia:- haan

Avantika:- toh batao naa ki aakhir asal baat kya hai aur ye curse tumhe diya hi kyu gaya?

Main:- Analia tum Avantika ko batao tab tak main apna kaam shuru karta hun

Avantika:- shuru karta hun kya tum yaha ki puri sachayi nahi jaanna chahoge?

Main:- mujhe apne aap pata chal jayega

Avantika:- apne aap wo kaise? par maine kuch nahi kaha aur turant Analia ke haath se
phal ko le liya

Avantika:- Vjjj par isse pehle ki Avantika kuch aur keh paati maine uss phal ka ek bite le
liya tha

Main:- ye toh bohat mitha hai

Avantika:- are u out of ur mind ye ek cursed fruit hai aur tumne isse khaa liya Avantika ki
hi tarah Analia aur waha moujud sabhi Courious aasi mere yun uss phal ko khaane se
chonk bhi gaye the aur dar bhi gaye the ye sochkar ki ab kya hoga? wahi Avantika lagatar
mujhe daante hi jaa rahi thi par mujhe uski baat sunayi dena band ho gaya tha meri
aankhen bhi band ho gayi aur phal ko khaate hi Courious kis sachaayi Asmodeus ka yaha
aane ka maksad aur fir yaha ke logon ka shrapit hona sab kuch meri band aankhon ke
aage ghumne laga aayiye aap bhi jaan lijiye aakhir kaun hain ye Courious waasi aur kya
hai ye curse of the Sweet Poison Courious curse se pehle yaha ki aabadi 10 thousand thi
Courious me bacche normal tarike se paida nahi hote the balki yaha ki har aurat ki kokh
me uske mature hote hi ek urja panapti thi iss urja me white energy ka bhandar hota tha
aur issi urja se yaha bacche janm lete the yaha ke log 10000 se zyada saal tak jeete the
Courious waasiyon ko ek aur naam se jana tha aur wo naam tha God's preachers yaha ke
log bramhaand ke har grah me jaakar waha ke logon ko God ke bare me awgat karate the
wo unhe satya ke maarg par chalne ki prerna dete the unme itna tej hota tha ki devils unki
urja ke daayre me bhi aane se darte the kyu ki aisa karne par un sabke sharir jalne lagte
the jaisa ki maine bataya ki yaha par bache white energy ki madad se paida hote thepar
ye white energy sirf yaha ke logon ko hi nahi milti thi balki iss grah me ek aur chiz thi jise
white energy ka gift mila hua tha aur wo chiz thi courin tree iss ped me lagatar white
energy padti thi aur ussi energy se paida hote the couris phal Courious waasi ya fir kahu
God's preachers khaane ke naam par bas iss couris phal ko khaate the par uss waqt couris
phal ka swaad khatta tha yahi unka aahar tha iss phal ko khaane se unke andar ki white
energy lagatar rivive hoti rehti thi courin tree se hi Courious grah ki neev rakhi gayi thi
issliye Courious waasi courin tree ko mother tree bhi kehte the aur jaisa ki maine bataya
ki courin tree me lagatar white energy padti rehti thi issliye uss white energy ki power ko
handle karne ke liye courin tree ne khudko pure grah me divide karna shuru kiya aur issi
tarah pura Courious grah courin tree aur uspar phalne wale couris phal se bhar gaya par
iske baawajud white energy ki maatra bohat zyada thi jiski wajah se kabhi kabhi Courious
grah vibrate hone lagta tha issliye Courious grah ke logon ne extra white energy ko kahi
transfer karne ka socha jaisa ki maine bataya ki God's preachers pure bramhaand me
jaakar God ka sandesh pahunchate the issliye wo pure bramhaand aur waha rehne wale
logon ko achi tarah pehchaante the unhe koi bhi grah iss layak nahi laga jise wo white
energy de saken aur issliye un sab ne ye faisla kiya ki wo apni shakti ko white energy ke
saath milakar ek naye grah ka nirman kare ge aur unhone aisa hi kiya white energy me
apni saachayi ki shakti ko milaya aur uss energy ko unhone ek aakash ganga ek aakhri
chhor par ek chote se viran grah par chhodna shuru kiya aur dekhte hi dekhte wo viran
grah iss bramhaand ka sabse khubsoorat grah ban gaya jiska baad me chalkar naam rakha
gaya Isla aur uss extra white energy ne bhi khudko ek naya roop de diya aur uss naye roop
ka naam tha Fountain of Light par ache karmo ki chamak sirf achi jagah aur acche logon
ko hi nahi buri jagah aur bure logon ko bhi dikhayi deti hai aur aisi hi ek buri nazar ko
Courious aur Courious waasiyon me waas karte white energy ke bare me pata chal gaya
Asmodeus ko ye bhi pata chal gaya ki white energy ke ek bohat bade shroth ko Courious
waasiyon ne kisi planet ko gift kiya hai par wo ye nahi jaan paya ki aakhir wo planet kaun
sa hai? itni asimit urja ke kendra Courious ke bare me jaankar aur uss urja ko apna banane
ke maksad se Courious pahunch gaya Asmodeus ke naam se Courious waasi bhi anjaan
nahi the par unhe ye dekhkar shock laga ki ek shaitan unke grah me kadam kaise rakh paa
raha hai jabki koi bhi black energy unke aas paas bhi nahi bhatak paati thi isse unhe ye
andaza ho gaya ki bhale hi ab Asmodeus koi angel nahi raha par white energy ke kan ab
bhi uske andar moujud hain Asmodeus ne un sabke saamne apni demand rakhi ki wo usse
uss shakti shroth (isla) ke bare me batayen jise un sab ne khaarij kar diya tab Asmodeus
ne unhe warn kiya ki agar wo usse unki urja nahi denge toh wo un sab ki zindagi mout se
bhi badtar kar dega par Courious waasi tab bhi nahi maane par unhe aaschrya tab hua jab
Asmodeus ne unhe kuch nahi kiya aur gayab ho gaya un sabhi ko laga ki Asmodeus un sab
ko bas kori dhamki de raha tha aur kuch nahi aur yahi wo dokha kha gaye raat ke 3 pahar
me ek kaala saaya Courious ke beech utra aur wo chalta hua ek courin tree ke paas
pahuncha ye courin tree wahi ped tha jise Courious waasi mother tree kehte the aur jis
ped se hi baaki ke courin trees ne janm liya tha Asmodeus ko pata tha ki ye pura grah aur
baaki ke sabhi courin trees issi mother tree se jude hue hain vibhajate swah purnah shakti
enter my complete power Asmodeus ne courin tree ko chhukar iss spell ko bola aur agle
hi pal Asmodeus ke sharir se uski saari urja uski saari shakti bahar aane lagi aisa hote hi
Asmodeus ko bohat dard aur kamzori mehsoos hone lagi jis wajah se wo khada nahi ho
paya aur ghutno ke bal baith gaya aur agle hi pal Asmodeus ke sharir ki saari urja courin
tree me samane lagi aur aisa hote hi pure Courious grah me kampan hone lagi kampan
itni tez aur zyada thi ki sabhi Courious waasi apne gharon se bahar aa gaye aur jaise hi wo
ab courin tree ke paas pahunche sabko ek tez jhatka laga mother tree sukhne lagi thi uske
saare phal bhi gal gal kar niche girne lage the aur mother tree ke saath aisa hote hi
Courious ki baaki ki courin trees gayab hone lage aur kuch hi der me pura Courious ped
rahit ho gaya bachi toh bas mother tree aur wo bhi ab puri tarah sookh chuki thi dostonye
wahi tree hai jiske neeche mere aane tak wo budhi aurat leti hui thi khair mother tree ke
sookhte hi uske andar se Asmodeus ki kaali shaktiyan nikli aur wapas Asmodeus ke andar
sama gayi kuch hi palon me Asmodeus pehle ki tarah ho gaya aur theek hote hi wo khada
ho gaya abhi tak kisi ki nazar Asmodeus par nahi gayi thi par jaise hi wo khada hua sabhi
usse dekhkar chonk gaye

Asmodeus:- maine kaha tha naa God's preachers agar mari baat nahi maani toh main tum
sab ki zindagi mout se bhi badtar bana dunga ab bhugto ye kehkar Asmodeus ne apne
haath failaye uski aankhon ki safed putliyan aur gehri safed ho gayi aur aisa hote hi pure
Courious grah me snow fall shuru ho gayi

Asmodeus:- ab yaha par suryauday kabhi nahi hoga yaha ki roshni issi barf ki wajah se
hogi jo ki mera pratik hai ab aate hain aap sab par toh maine suna hai ki aap sab ka aahar
bas ek phal hai aur wo phal issi ped me hota tha par ab toh ye ped raha nahi toh ab kya
kare? fikr mat kijiye maine ek phal aap sabke liye bacha kar rakha hai ye kehkar Asmodeus
ne apne seene par haath rakha aur agle hi pal uske seene se courin phal bahar nikla
Asmodeus ne courin phal ka ek bite liya

Asmodeus:- arre ye toh khatta hai mujhe pasand nahi ye kehkar Asmodeus ne apni kaali
shaktiyon ko jaagrit kiya aur un shaktiyon ko apne ungli ke zariye courin phal me transfer
karne laga aur jaise hi Asmodeus ne uss phal me apni kaali shaktiyan transfer ki wo bite
jo Asmodeus ne uss phal ki li thi wo jagah bhar gayi Asmodeus ne dobara uss phal ki ek
bite li

Asmodeus:- haan ab theek hai Asmodeus ke bite lene ke agle hi pal wo courin phal ka bite
wala hisaa phir bhar gaya

Asmodeus:- jante ho maine jo kaali shakti iss phal ke andar daali hai wo kisi bhi devil ke
liye ek vardaan hai ek blessing hai par tumhare liye ek shraap hai ek curse hai janana nahi
chahoge kaisa curse lo khud pata kar lo ye kehkar Asmodeus ne uss phal ko saamne uchal
diya aur tabhii wo ek phal hazaron phalon me divide ho gaya aur sabhi Courious vasiyon
ke aage hawa me ruk gaya par kisine bhi uss phal ko haath nahi lagaya

Asmodeus:- tum sidhe chalne wale logon ko koi bhi sidhi baat sidhe tarike se samjh kyu
nahi aati hai aur agle hi pal mmmm ye awaaz Courious ke kuch logon ke mouh se nikal
rahi thi kaaran un sab ka sharir hawa me uth gaya tha aur unhe aisa lag raha tha maano
koi unka gala daba raha ho

1st Courious waasi:- inhe kuch mat karo hum khaate hain uske kehte hi wo sabhi log jo
hawa me chatpata rahe the wo neeche aa gaye un sab ne kaampti haathon se apne
saamne hawa me ruke phal ko pakda aur jaise hi uska bite liya

Courious waasi:- ye toh

Asmodeus:- mitha ho gaya naa

Sab:- haan ahhh ahh lagatar aisi hi dard bhari awaazen Courious waasiyon ke mouh se
nikalne lagi sabhi ke body parts par lagatar gehre cuts hote jaa rahe the

Asmodeus:- thek hona chahte ho toh phal ka ek bite lo Asmodeus ki baat sun aur dard ko
naa bardasht kar paane ki wajah se un sab ne phal ka ek bite liya aur aisa karte hi unke
cuts gayab ho gaye

Asmodeus:- hahaha jante ho tum sab ne kya kiya hai iss phal ko khaa kar tumne apni white
energies ko meri black energy ka gulam bana liya hai tumhari saari white energies ab meri
black energies ki bandhak hain aur jab jab tumahri white energy mere black energies ko
dhakka dekar bahar aane ki koshish kare gi tumhare sharir par cuts padte jayenge aur uss
cut ko theek karne ke liye tumhe iss phal ka ek bite lena padega par aisa karte hi tumhari
white energies thak kar wapas thodi der ke liye so jayengi aur ek baad yaad rakhna agar
tumne apni white energy ko bahar lane ke liye apni kurbaani dene ki sochi bhitoh jis grah
ko tumne white enegry bhet me di hai wo bhi tum sab ke saath nasht ho jayega
Courious waasi:- tum hamare saath aisa kyu kar rahe ho? akhir humne tumhara kya
bigada hai?

Asmodeus:- tum mera kuch bigad bhi nahi sakte par Asmodeus ki har maang puri honi
chahiye aur jo aisa nahi karega usse saza milegi aur ye hai tumhari saza jo phal tumhe
white energy deta tha wahi phal ab tumhare andar moujud meri kaali shaktiyon ki raksha
karega jo tumhara wardan tha ab wo tumhara shraap ban chuka hai aur wo bhi mitha
shraap curse of the Sweet Poison

Main:- adbhudh saare scenes khatam hone ke baad mere mouh se apne aap hi shabd
nikal gaya maine nazar ghumayi toh mera dil hi ghum gaya Avantika aankhon me aansu
bhare meri ore dekh rahi thi

Main:- arre tumhe kya hua maine jo kiya wo karna zaroori tha issi tarah se main yaha jo
bhi hua uske bare me jaan sakta tha aur iss phal se mujhe kuch nukasaan nahi ho sakta
koi bhi black energy mere andar jaate hi white energy me convert ho jati hai fir main
Avantika ko yaha kya kya hua tha wo sab batane laga Avantika ne kuch nahi kaha bas meri
baatein sunte hue mere gale lagi rahi wahi Analia mujhe aur Avantika ko ek tak dekh rahi
thi tabhi aahhh ahhh jo hota aaya hai wahi ghatna kram firse hone laga sabhi Courious
waasiyon ke body ke parts par cuts lagne lage sabne apne haath me rakha phal khaa liya
siway Analia ke uska phal toh mere paas tha sabki dard bhari aah sunkar Avantika ne pehle
saame dekha fir meri taraf

Avantika:- toh ab? maine kuch nahi kaha aur apne haath me pakde phal ki taraf dekha
maine jo bite li thi wo jagah bhar chuki thi maine turant 3 -4 bites me hi pura phal khaa
liya main usse dobara judne ka mouka nahi dena chahta tha aur jaise hi maine wo fal pura
khaaya hum jis jagah par khade the wo hilne lagi aisa hone se sabhi shocked hue par tabhi
unhe apne jeeven ka sabse bada shock laga mother tree courin tree jo puri sookh chuki
thi usme patte aane lage aur dekhte hi dekhte wo puri bhar gayi ye sab dekhakar sabhi
Courious waasi khushi se jhum uthe par abhi unka shraap khatam nahi hua tha mother
tree ke pure bharne ke baad bhi abhi tak couris phal uss par nahi aaya tha main ussi ke
aane ka intezar kar raha tha ki tabhi mujhe courin tree ke nichli daal par dheere dheere
ek phal panapte hue dikha jise dekhkar main khush ho gaya

Main:- wo dekho couris phal mere kehte hi sabhi ki nazar couris phal par chali gayi jise
dekhkar sabhi khush ho gaye

Analia:- kya ab hum shraap mukt ho gaye aur uss phal ko hum khaa sakte hain
Main:- abbhi nahi iss shraap ki jadh ye mother tree aur ispe jhulta hua phal hai mere iss
black energy se grasit phal ko khaane ki wajah se ye phal shudh ho gaya hai aur issliye
courin treee wapas theek ho payi hai par jis phal ko maine khaaya hai wo courin tree ke
prabhav me aakar black energy se nahi ghira tha balki Asmodeus ne uske andar apni black
energy ko daala tha meri energy ki wajah se ye phal toh theek ho gaya hai par courin tree
aur usme ye jhulta phal ab bhi Asmodeus ki black energy se grast hai

Analia:- toh fir? maine kuch nahi kaha aur jaakar courin tree ke neeche khada ho gaya aur
agle hi pal wo couris phal jo uss ped par latak raha tha wo mere haathon me tha

Main:- iss phal ke andar wahi black energy hai jo courin tree me hai mere isse khaate hi
courin tree theek ho jayegi meri baat sunkar sab khush ho gaye wahi Avantika bhi mere
paas aa gayi maine uss couris phal ko khaane ke liye usse apne mouh ke paas lane laga iss
baat se anjaan ki aisa karte hi meri duniya ghum jayegi duniya chhodo main hi ghum
jaaunga jaise hi maine uss courin phal ki first bite li

Main:- oh shit mere bite lete hi do chize huin pehli meri lagbhag saari shaktiyan wapas
kaam karne lagi lagbhag issliye kyu ki main ab bhi Courious grah ke bahar ka kuch bhi
mehsoos nahi kar paa raha tha aur iska kaaran tha ki Courious iss bramhaand ke sabhi
jeevit grahon se bohat alag tha yaha ki har chiz God ki urja se bani thi jiska baaki ke grahon
se koi lena dena nahi tha aur dusri meri puri tarah se lag chuki thi mujhe pata chal chuka
tha ki mere bhai ne mere bhatije ke saath milkar mere saath kitna bada game khela tha
aur uss game ki wajah se mera pura astitv badalne wala tha par in sab negetives ke beech
me do positive cheez bhi hui aur wo ye ki mujhe pata chal chuka tha ki yaha aate hi mujhe
jo shock laga tha uss shock ki haqiqat kya hai aur haqiqat jaankar main mann hi mann
Asmodeus ke dimag ki taarif karne se khud ko rok nahi paya aur dusri ye ki mere phal
khaate hi courin tree bhi shraap mukt ho gayi aur aisa hote hi Courious ka mousam saaf
hone laga barf girni band ho chuki thi suraj jisne khudko hazaron varshon tak chupa kar
rakha tha wo firse uday ho gaya aur sabse badi baat jis banjar grah ke andar Asmodeus
ne Courious ko chhupa kar rakha tha wo cover bhi hat chuka tha ab Courious pehle ki hi
tarah aazad tha wahi mere paas khadi Avantika ne bhi mera oh shit kehna sun liya tha aur
saath hi mere har pal badalte bhaav ko bhi achi tarah se note kar rahi thi jis wajah se usse
dar lagne laga tha

Avantika:- Vjjj sab thek toh hai naa maine naa me apni mundi hila di

Avantika:- kya hua?


Main:- yaha nahi maine ye baat halki ladkhadati zuban se kahi thi jise Avantika shocked
ho gayi par filahl usne kuch nahi kaha

Main:- ab hume ijazat den aur isse pehle ki Courious waasi kuch kehte main aur Avantika
waha se gayab ho chuke the hamare yun achanak jane se sabhi Courious waasi sad ho
gaye par unki shraap mukt hone ki khushi unki udaasi se kahi zyada thi kuch hi der me
zyadatar log phir se khushi se jhumne lag gaye wahi kuch door par hum dono punah prakat
hue Avantika ye dekhkar shocked hui ki hum abhi tak issi grah me hain main uski mano
dasha samjh raha tha issliye maine bina time waste kiye kehna shuru kiya

Main:- mere paas zyada waqt nahi hai Avantika issliye main tumhe yahi sab batana chahta
hun meri baat sunkar Avantika ke hosh ud gaye

Avantika:- zyada time nahi hai matlab? Avantika ka dil zoron se bajne laga tha jiski wajah
main samjh raha tha

Main:- main marne wala nahi hun AV par jo zindagi main jeene wala hun usse acha toh
main mar jata meri baatein sunkar Avantika ke aakhon se aansu girne lage

Main:- baad me ro lena bohat waqt milega tumhe rone ka ye sab bolte waqt meri zubaan
ladkhada rahi thi

Main:- wo yudh yaad hai jo mere aur Asmodeus ke beech hua tha Avantika ne haan me
sar hilaya

Main:- wo yudh Asmodeus ne mujhe maarne ke liye nahi balki mera khoon haasil karne
ke liye kiya tha

Avantika:- par

Main:- shhhh maine kahanaa mere paas zyada waqt nahi hai sirf suno Asmodeus ne mere
khoon ko apne khoon se mila diya par mere khoon ki maatra bohat kam thi aur Asmodeus
ki bohat zyada uske khoon ke sabhi negetive particles ne mere khoon ke sabhi positive
particles ko nigal liya uske baad usne Beelzebub ko hum dono ke khoon ke mixture ko
dekar yaha Courious bheja Beelzebub ne hum dono ke khoon ke mixture ko courin tree ki
jadon me mila diya aur natija ye kehkar main ladkhadata hua gir gaya

Avantika:- Vjjj abhi rehne do ghar chalkar baaki ki baat kare ge

Main:- nahi ghar pahunchte tak bohat der ho jayegi jitni zyada main apni urja istemal
karunga utni zyada meri haalat bigadti jayegi abhi suno sab main kaha tha haan natija iska
natija ye hua ki courin tree ke andar iss bramhaand ke sabse khatarnaak shakti panapne
lagi par kyu ki kisi zamane me courin tree white energy ki pratik thi issliye wo kuch der tak
hum dono ke khoon se mishrit shakti ko sambhal sakti thi par sirf kuch der tak aur jaise hi
maine Asmodeus ke black magic ko bekaar kiya courin tree ke andar chupi white energy
hum dono ke khoon ki shakti ko bahar dhakka dene lagi aur ussi dhakke se wo phal bana
jise maine thodi der pehle khaaya tha

Avantika:- main ab bhi nahi samjhi ki tum kehna kya chahte ho maine kuch nahi kaha bas
apne sar ko chua aur agle hi pal mere andruni dimag ki roop rekha mere saamne aa gayi
jise dekhkar Avantika shocked ho gayi

Avantika:- ye ye kya ho raha hai

Main:- ye mera dimag hai aur jo chiz mere dimag ko dheere dheere apne kabze me le rahi
hai wo Asmodeus ka khoon hai aur jaise hi wo khoon mere dimag ko puri tarah apne kabze
me le legi main khud bhi nahi janta ki main kya ban jaaunga meri baat ka matlab samjh
kar Avantika toh jaise ek sadme me chali gayi

Main:- hosh me aao AV pata nahi kyu par mujhe aisa lag raha hai ki ye aadhi kahani hai
jahan tak mujhe lagta hai Asmodeus ko bhi ye baat pata hogi ki main iss duniya se bahar
nahi jhaank sakta issliye usne mere saamne yaha ka uska ek raaz bhi bina koi problem
create kiye hue pata chalne diya mujhe kuch ajeeb sa lag raha hai hume turant nikalna
hoga ye kehkar maine Avantika ka haath thaama aur aakhen band kar mere ghar ke paas
jo sunsaan jagah thi uss jagah par focus karne laga abhi jo meri haalat thi usme focus
karna kafi mushkli tha par maine manage kar liya aur kuch hi palon baad jaise hi mera
focus apne sochi gayi jagah par sthi r hua hum dono gaayab ho chuke the

Flashback

Planet: the World of Warriors Place: Palace Hall

Lord Crusedar:- acha sujhaav hai par ek baar baaki ke mantri mandal ki bhi raay le leni
chahiye ab iski zaroorat nahi padegi Lord Crusedar apne dono yuvrajon Mokalsar aur
Akshaant se kuch baat kar hi rahe the ki unke peeche se ye awaaz aayi

Lord Crusedar:- kaun ho tum?

tumhari mout Nishkalika ki behan Bhuvika Nishkalika ka naam sukar sabhi shocked ho
gaye Akshaant aur Mokalsar apni talwar nikal hi rahe the ki
Defender:- ruk jaao aur jahan se aayi ho wahi waapas chali jaao warna anjaam bohat bura
hoga ye awaaz Bhuvika ke peeche se aayi thi ye aur koi nahi Defender the jinhe achanak
mahal ke andar bohat zyada maatra me kaali aur safed shakti ke hone ka abhaas hua tha
aur agle hi pal wo Bhuvika ke peeche khade the Bhuvika me kuch nahi kaha par agle hi pal
Bhuvika ke saare sharir se urja ki moti si ray nikalkar Defender par padne lagi Defender ne
bhi apna haath aage kar diya tha jise wo uss urja ko rok saken par wo puri tarah kaamiyab
nahi ho paye the Bhuvika ki urja itni zyada thi ki wo usse sambhal nahi paa rahe the wo
samjh gaye ki agar kuch der aisa aur hota raha toh sab kuch khatam ho jayega aur issliye

Bhuvika:- nahiiii Bhuvika krodh ki agni me jalti hui gayab ho gayi hua ye ki Defender ko
jaise hi laga ki wo Bhuvika ki energy ko sambhal nahi payenge unhone grah Setu aur
Warriors World ke sabhi logon ka awaha ek saath kiya kyu Grah Setu khud Defender ne
banaya tha toh ye karna unke liye koi badi baat nahi thi aur unke aisa karte hi wo Lord
Crusedar Akshaant Mokalsar aur Warriors World ke sabhi log ek ray me badalkar gaayab
ho gaye aur sidha pahuche Grah Setu ke darwaaze ke saamne

Defender:- sab jaldi se andar chaliye main Isla ke logon ko bhi lekar aata hun sabhi ke
mann main sawal the par filhal kuch bhi puchne ka time nahi tha issliye sabhi Grah Setu
ke nadra samane lage

Mokalsar:- chal naa jaldi yaha khada kya soch raha hai

Akshaant:- yaar wo ladki Nishkalika ki behan hai agar wo yaha aayi hai toh Gluto bhi zaroor
jayegi main Shaila ko lekar aata hun

Mokalsar:- chal main bhi chalta hun

Akshaant:- nahi mere bhai ek yuvraj apne pyar ko bachane jaa raha hai toh dusre yuvraaj
ko janta ki raksha karni padegi naa teri zaroorat yaha zyada hai ye kahkar Akshaant world
door se hote hue Gluto phunch gaya

Planet: Isla Place: Palace Hall

namaste nana ji

King Solomon jo ki apne mantri gan ke saath kuch vichar vimarsh kar rahe the iss awaaz
ko sunkar chonk gaye aur jab unhone apne saamne dekha toh ek jawan ladke ko kaale
kapdo me khade paya jiske chehre par ek zehrili muskaan thi

King Solomon:- kaun ho tum?


Beelzebub:- samay ki vidambana toh dekhiye ek nana apne pote tak ko nahi pahachan
paa raha hai king Solomon Beelzebub ke mouh se khud ko unka pota kehte sun shocked
ho gaye

Beelzebub:- chonkiye mat main batata hun main apki putri Alesendra aur mere father
Asmodeus ka putr hun iss baar toh king Solomon ka dimag hi fuse ho gaya unhe samjh hi
nahi aa raha tha ki wo kya kahe par aakhir unhone khud ko sambhal kar aage baat ki

King Solomon:- yaha kyu aaye ho

Beelzebub:- aapko iss jeeven chakra se mukt karne Beelzebub ki baat sunkar sabha me
moujud sabhi logon ko krodh aa gaya par isse pehle ki unme se koi kuch kar paata sabhi
ke haath pair adrishya rassiyon se bandh chuke the

Beelzebub:- aap sab bhi marenge par pehle naanu ki baari Beelzebub ke haathon me ek
talwar chamak gayi wo usse lekar aage badha hi tha ki

Beelzebub:- nahi Beelzebub ko apne aas paas ek bohat tagdi white urja ka aabhas hua par
isse pehle ki wo uske bare me jaan paata uss urja ya ye kahu Defender ne jo ki adrishya
hokar yaha aaya tha unhone sabha aur mahal me moujud sabhi ko waha se gayab kar diya
aur unhe lekar wapas Grah Setu ke saamne pahunch gaye un sab ko lane se pehle wo Isla
waasiyon ko bhi laa chuke the sabhi unse sawal puchne lage par Defender pehle sabko
grah Setu ke andar le gaye aur fir Grah Setu ka darwaza band kar diya

Planet: Gluto Place: Palace Hall

aakhir mulakat ho hi gayi Shaila

Shaila jo ki akele hall me baith kar kuch soch rahi thi achanak apna naam pukare jane par
chonk gayi

Shaila:- kaun ho tum? aur bina anumati ke andar kaise aa gayi

waise toh mera naam Bhuvika hai par tu mujhe apni mout keh sakti hai aur mout kabhi
puch kar nahi aati

Shaila:- tu aur meri mout teri toh main ahhh Planet: Earth

Place: Gardens Backya rd

nahi nahi ye nahi ho sakta main pagal ho jaaunga aur ye sab bolne ke baad main neeche
gir pada
Avantika:- Vjjj please uth jaao na dekho hum ghar pahunchne hi wale hain sab thek ho
jayega dopahar ka waqt hai hum jab wapas earth apne shahar Mumbai ke apne garden
jahan main jogging kiya karta tha waha pahunche toh mujhe aise aise shock lage ki mere
dil se bas yahi dua nikli ki meri zindagi bhi khatam ho jaye

Avantika:- utho naa Vjjj hua kya hai ye toh batao maine ek nazar Avantika ko dekha jiski
aankhen bhigi hui thi par aaj main iss haalat me nahi tha ki usse chup kara sakun main
latte patte khada hua aur upar dekhne laga

Main:- (mann main) yahi din dikhane ke liye mujhe itni saari shaktiyan di thi tu ne hey
khuda meri saari shakti le le par meri purani zindagi mujhe wapas louta de

Avantika:- Vj please batao naa kya hua hai Avantika ke sawal par maine kuch nahi kaha
bas apni taakat bator hawa me ek baar haath ghumaya agle hi pal hawa me drishya chalne
laga jisme Warriors World Isla aur Gluto me jo jo hua wo dikhne laga jise dekhkar Avantika
ke aansu aur tez ho gaye par wo khudko sambhal kar boli

Avantika:- ye sab thek ho jayega Vj maine Avantika ki taraf dekha jisne abhi tak asli baat
nahi jaani thi par batana toh tha hi

Main:- ye saari ghatna kal parso ki nahi hai

Avantika:- matlab? aise kaise ho sakta hai hume gaye hi 3 din toh hue hain

Main:- haan hume gaye hue toh 3 hi din hue hain par hum loute 1.5 saal baad hain meri
baat sunkar Avantika ko aisa jhatka laga ki pucho hi mat

Avantika:- tum mazak? par isse zyada wo kuch keh nahi payi kyu ki meri aankhen jhoot
nahi bol rahi thi jise usne pehchaan liya

Avantika:- par kaise?

Main:- samay parivartak Asmodeus ka ab tak ka sabse bada hathyar jiska usne hamare
Courious pahunchte hi use kiya

Avantika:- samay parivartak ab ye kya bala hai?

Samay parivartak bramhaand me hazaron aakash ganga hain aur har aakash ganga ka
apna samay chakra hai grah ki hi tarah aakash ganga bhi rotate aur revolve hote hain is
douran kabhi kabhi aisa hota hai ki Aakash ganga me moujud anginat grah apne axis me
ghumne ke baawajud ek dusre se takrane ki kagar me pahunch jaate hain jab bhi aisa kuch
hone wala ho toh samay parivartak ke dwara un grahon ke samay chakra ko dheere kar
diya jata hai aisa karne se grah ki speed kam ho jati hai aur wo jis grah se takrane wala
rehta haiuski speed badh jati hai un garh ke waasiyon ko iske bare me kuch pata nahi
chalta par jis grah ke samay chakra ko parivartak ke zariye tez kar diya jata hai wo dusre
grah se jiske samay chakra ko parivartak ne slow kar diya tha usse kafi aage nikal jata hai
slow ho chuke grah ka ek din tez ho chuke grah ke mahino ya fir kabhi kabhi saalon ke
barabar hota hai aur Asmodeus ne parivartak ka use kar hamare aakash ganga ki speed
Courious ke mukable 150 guna tak tez kar di issliye hamara waha bitaya hua ek din baaki
har jagah se 1.5 saal jitna lamba tha meri baat sunkar Avantika ka dimag jhatka maarne
laga tha par fir usse kuch yaad aaya

Avantika:- hamare clones

Main:- hamare Courious me enter karte hi hamare clones ko maar diya gaya tha

Avantika:- what? toh kya hamare ghar wale ye sochte hain ki hum mar chuke hain
Avantika ke sawal ko main ab badi mushkil se sun paa raha tha Asmodeus ka khoon mere
dimag ke 90 percent hisse me zeher bankar faile chuka tha maine badi mushkil se khud
ko sameta aur

Main:- nahi hamare clones ko jinho ne maara tha unhone khud hamare clones ki jagah le
li thi aur hum dono bankar rehne lage par ab un dono ko pata chal chuka hai ki hum aa
chuke hain issliye wo wapas jaa chuke hain

Avantika:- kaun the wo dono?

Main:- Bhuvika aur Beelzebub ye bolte waqt meri aankhon me dard ghussa ghutan bebasi
sab kuch dikh raha tha meri aakhon se aansu girne lage jise dekhkar Avantika ko lagne
laga ki maine abhi tak usse puri baat nahi batayi hai?

Avantika:- Vjjj aur bhi kuch hua hai naa? Avantika ki baat sunkar main uski ore dekhne
laga mere aankhon me itna dard aur ghussa tha ki mere aansun bhi girne se pehle hi
sukhne lage

Avantika:- Vj plz batao naa kya hua hai?

Main:- Ronit coma me hai meri baat sunkar Avantika ko bhi halka sa chakkar aane laga
par usne khud ko sambhal liya

Avantika:- usse toh tum thek kar hi sakte ho naa fir itna dard kyu? dard ab mere dil me
itna badh gaya tha ki mera sar ghusse aur tadap se hilne laga
Main:- Ronit issliye coma me hai kyu ki Anjali guzar chuki hai Anjali is dead apni baat
khatam kar main neeche baith gaya par Avantika toh khade khade hi behoshi ki aalam me
jaa chuki thi par wo jaldi hi apne sadme se bahar aa chuki thi kyu ki wo janti thi ki meri
haalat thek nahi hai

Avantika:- Vj chalo ghar

Main:- main Ronit ko uss haalat me dekh nahi sakunga

Avantika:- par ghar toh jana hi padega naa

Main:- ghar par call karke kehna ki mujhe achanak chakkar aa gaya aur main behosh ho
gaya Avantika ko meri baat ka matlab samjh nahi aaya par ab usse samjhaane ka mere
paas time nahi tha actually ab mere paas kisi bhi chiz ke liye time nahi tha jaisa ki maine
bataya ki main jitni urja use kar raha tha mera time utna hi kam hota jaa raha tha main
hamesha se hi iss bramhaand ke har angel ke saath juda hua rehta hun par jabse main
earth par wapas aaya tha ek ek karke saare angels se mera sampark toothata jaa raha tha
jiska ye matlab tha ki meri pehchaan khatam hote jaa rahi hai (issliye Asmodeus ne kaha
tha ki Lord of Angels white energy ka waaris par kab tak) aur ab toh jab Asmodeus ke
khoon ne mere dimag par lagbhag pura kabza kar hi liya tha aisi haalat me main sirf teeno
God's messengers ko hi dekh paa raha tha wo bhi dhundla sa wo teeno hi udaas chehre
liye mujhe dekh rahe the Avantika se apni baat keh maine apne jabde sakhti se bheenche
taaki hone wale dard ko sehen kar sakun aur agle hi pal shakitiyem moksayati powers
detach mere sharir se rays nikli aur chal padi apni manzil ki taraf

Ronit ko ghar par hi rakha gaya tha bohat se machines se uske bodies connected the mere
dwara choddi gayi rays Ronit ke upar mandraane lagi aur agle hi pal wo rays Ronit ke
dimag me samane lagi jitne machines Ronit ke body se connected the wo sabhi beep beep
ki awaaz nikalne lage aur tabhi

Ronit:- Anju wahi jaise hi meri body se meri last energy nikli ek saath do do cheekhen fiza
me gunji ek meri aur dusri Avantika ki energy ke nikalte hi mere mouh se dard bhari
cheekh nikal gayi aur mujhe cheekhta dekh Avantika ki cheekh nikal gayi aur fir sab kuch
shaant kamse kam mujhe toh kuch bhi sunayi nahi de raha tha Avantika mujhe hilaye jaa
rahi thi par main bojhil aakhon se usse jitna ho sake dekhte hue apne wajud ke aakhri
lamho ko jee raha tha wahi mere energy use karte hi Gods messengers ka connection bhi
mere dimag se toot gaya meri bojhil aankhen aur bhaari hone lagi aur kuch hi palon me
Avantika ke khubsoorat chehre ko dekhte hue meri aankhen band ho chuki thi ek din ki
zindagi ko 1.5 saal bada banaane ke baad apni ek dost ko khone ke baad ab mera wajud
meri pehchaan tak maine kho diya tha jis positive bande ko duniya janti thi uski wo
positivity negetivity me badal chuki thi kyu ki badal chuka tha mera attitude

Planet: Earth Place: ********

200 feet gehra paani ek daayre me bandhi hui ye paani ki duniya par uske baawajud iske
andar ka drishya anthi n samandar se bilkul alag nahi gehra par aankhon se dekha aur iski
khoobsutri ka pura avlokan kiya jaa sake aisa paani aur uss paani ki satah aur gehrayi dono
par hazaron ki taadad me tairti khubsoorat machliyan jinka ye samrajya hai machliya jab
ek samouh ek group me ek lay me tairti haintoh wo nazara dekhne me adhbudh lagta hai
par aaj in machliyon ko tairte dekh kuch doubt ho raha hai kyu ki saari machliyan sidhe
yaa daayen baayen naa tairkar upar se sidhe niche paani ke tal ki taraf jaa rahi hain aur
usse bhi ajeeb ye hai ki wo waapas nahi aa rahi hain toh chaliye hum bhi ek doobki lagayen
aur dekhe ki aakhir maajra kya hai? ye machliyan aakhir jaa kaha rahi hain? arre ye kya
aisa toh naa maine kabhi dekha naa suna ek aur adbhudh ghatna nahi samjhe dosto
nchaliye samjhata hun saari machliyan paani ke last point jiski gehraayi jaisa ki maine
bataya tha ki 200 feet hai uss jagah par ek circle banakar gol gol ghum rahi hain par unki
taadad itni zyada hai ki ye dikh nahi raha ki akhir wo sab aakhir kis cheez ki chakkar laga
rahin hain ki tabhi uss jhund me halka gap aaya jis wajah se unke aage ki chiz ya fir ye
kahu ki aage dhayan ki mudra me baithe ek insaan ka chehra dikh gaya aur ye insaan aur
koi nahi Vikram hai ab aap sab ke dimag me do baatein aayengi pehliki Vikram paani ke
200 feet andar aakhir kya kar raha hai aur dusri Vikram jab saamne hai toh fir main kaun
hun? toh doston main wo Vikram hun jo mere saamne baitha Vikram kabhi hua karta tha
abhi bhi nahi samjhe main Vikram ka wo astitv hun jo wo kho chuka hai Lord of Angels ji
haan doston yahi hai mera naam aur Vikram ki pehchaan ek aisa naam jisne apni
pehchaan kho di hai jis tarah aatma sharir ke bina aur sharir aatma ke bina adhure rehte
hai waise hi main aur Vikram bhi ek dusre ki bina adhure hain par iska ye matlab nahi hai
ki Vikram ne apni shaktiyan bhi kho di hai Asmodeus Vikram se uski position uska padh
chhin sakta hai par uski khudse kamayi shakti & most importantly uska attitude nahi
Vikram me aaj bhi itni taaqat hai ki wo pure bramhaand ko khatam kar sakta hai par jis
adhikar se wo ye kar sakta hai wo ab Asmodeus ki wajah se usse door khadi hai khair ye
kahani toh afterall Vikram ki hi hai main toh bas har din ki tarah ek baar apne malik ko
dekhne aata hun ab jab maine unke darshan kar liye hain toh ab main wapas jata hun ab
aap Vikram ke hawale meri urja jo ki kabhi mera naam hua karti thi wo mujhe dekhkar
gayab ho gayi yaha meri aankhen ab bhi band thi waise bhi mujhe ab koi bhi naam kisi bhi
kaam se koi matlab nahi reh gaya tha par fir bhi abhi meri band aankhon ke upar mere
maathe par tension aur dard ki silvatein ubhar aayi thi aur iska kaaran tha ki filhal mere
band aankhon ke saamne ek flash back scene chal raha tha chaliye mere saath aap sab
bhi mujhe dikh rahe scene ko dekh lijiye

Flash back scene:

kya hua itni sadhu jaise shakal kyu banayi hui hai tu ne? Anjali ki baat ka Ronit ne koi jawab
nahi diya bas usse ek tak dekhne laga

Anjali:- lo ab mujhe ghurne laga kuch bolega bhi

Ronit:- kaise kar leti hai tu?

Anjali:- kya kar leti hun main?

Ronit:- hans kar tu apne gum ko kaise chupa leti hai? Ronit ki baat sunkar Anjali ki jhuti
hasi feeki padh gayi ek pal ke liye uski asli udaasi uske aankhon tak aayi par usne jhat se
khudko control kar liya par ye kuch seconds kafi the Ronit ko Anjali ke mann ke bhaA one
ko uske aankhen ke zariye padhne ke liye

Ronit:- Anju kamse kam mere saamne toh pretend karna chhod main janta hun ki tu khush
nahi hai Ronit ki baat sunkar Anjali ne jo apne aansu daba kar rakhe the wo aankhon ki
salakhon ko tod bahar aa gaye Ronit ne Anjali ko jhat se gale laga liya

Anjali:- Vj ko isla gaye hue 6 mahine pure ho naa toh wo ab tak louta hai aur naahi usne
koi messege diya hai uske dimag tak bhi main nahi pahunch paa rahi hun aur uske upar
naahi main Shaila Mokalsar aur Akshaant se connect ho paa rahi hun itni saari negetives
ka ek saath hona koi coincidence toh ho nahi sakta Vj zaroor koi badi musibat me hai aur
hum dono uski koi madad bhi nahi kar paa rahe hain

Ronit:- Vj se connect naa ho paana normal hai kyu ki wo kisiko bhi aisa karne se rok sakta
hai par Shaila Mokalsar Akshaant teeno se toh maine bhi kayi baar khudko connect karne
ki koshish ki par nahi kar paya aur sabse badi baat ki hum Isla aur Warriors World ke liye
world door bhi open nahi kar paa rahe hain ye koi choti baat nahi ho sakti zaroor kuch
bada hua hai aur shayad issliye hi Vj ne hume apne saath jane se mana kiya tha par tabhi
Ronit ko kuch yaad aaya

Ronit:- Anju tune ek baat notice ki hai? Vj ke jane ke baad first teen mahine tak toh uske
clone ka rawaiya behaviour normal tha wo Vj ki tarah hi behave kar raha tha par fir
achanak uske nature me attitude me halka change aaya hai baaki ke ghar walon ka toh
pata nahi par Minu aunty ne bhi iss baat par gour kiya hai Vj ke clone ke andar Vj ka koi
talent ho ya naa ho par uska behaviour toh uske genes me hona chahiye par Vj ka clone
kayi baar aunty se bhi thoda rude ho jata hai badhti umar ka change samjh kar aunty ne
toh kuch nahi kaha par jab maine usse confront kiya toh usne meri baaton ko bhi avoid
kar diya aisa lag hi nahi raha hai jaise wo Vj ka clone hai

Anjali:- sirf Vj ka nahi Avantika ka clone bhi Avantika ka clone nahi lag raha hai oh shitt
Anjali ne apne ghum me bol toh diya par fir usse realize hua ki usne kya bol diya hai darasal
Vj ne sirf Anjali ko bataya tha ki wo Avantika ko bhi saath le jaa raha hai Ronit ko nahi aur
reason Ronit bhai sahab ka hyper behaviour agar Ronit ko ye baat pata hoti to wo bhi
saath jane ki zid karta

Ronit:- whattt jise hum regularly milte hain wo Avantika ka clone hai aur asli Avantika Vj
ke saath gayi hai iski aisi ki taisi itni badi baat aur tune mujhse chhupayi

Anjali:- mujhse Vj ne promise liya tha yaar usse pata tha ki agar tujhe ye baat pata hoti ki
Avantika bhi Vj ke saath jaa rahi hai toh tu bhi saath jane ki zidh karta

Ronit:- haan toh zaroor karta wo usse lejaa sakta hai par hume nahi waah

Anjali:- yaar tujhe toh pata hai naa ki Vj koi bhi kaam bina koi reason ke nahi karta Avantika
ko saath lejane me bhi zaroor koi na koi reason hoga

Ronit:- toh tune usse reason bhi nahi pucha?

Anjali:- pucha tha par usne kaha ki wapas aakar sab bata dega

Ronit:- saala wapas hi toh nahi aaya ye ek second tu Avantika ke clone ke bare me kya keh
rahi thi?

Anjali:- arre haan Vj ka clone jaise weird behave kar raha hai naa thek waise hi Avantika
ki clone bhi kabhi kabhi ajeeb behave karti hai hamari Avantika kitni cool hokar aaram se
baat karti hai jabki uski clone kabhi kabhi apni baaton me agresive ho jati hai aur sabse
badi baat maine Avantika ke clone ki aankhon me humesha ek ghussa dekha hai khaas kar
uss waqt jab wo hum dono se baat kar rahi hoti hai

Ronit:- ajeeb hai pehle Vj aur Avantika apne clones peeche chhod kar jaate hain fir
achanak hamara unse aur wo jis jagah gaye hain uss jagah aur waha ke logon se contact
toot jata hai fir waha jane ka world door bhi nahi khulta aur yaha unke clones bhi unse
alag behave karne lagte hain saala ye chakkar kya hai aur isse suljhaayen kaise?

Anjali:- kyu naa hum ek baar Avantika ke clone se baat karke dekhen
Ronit:- haan ye sahi rahega chal chalte hain Anjali aur Ronit Avantika ke ghar nikal jaate
hain unke ghar pahunchte hi Avantika ki mom unhe batati hai ki Avantika apne kamre me
hai dono uske kamre ki taraf nikal padte hain

Anjali:- Avni room me pahunchte hi dono ki nazar Avantika ke clone par padti hai jo
darwaaze ki taraf hi mouh karke baithi thi wahi Anjali aur Ronit ko apne saamne dekh
Avantika ke clone ki aankhon me ghussa dikhne lagta hai jise wo chupane ki koshish kar
rahi hoti hai par iss baar Anjali ki hi tarah Ronit bhi ye baat notice kar lata hai

Ronit:- kaun ho tum? aur Vj ke ghar par jo clone hai wo kaun hai? isse pehle ki Anjali kuch
kahe Ronit apne sawal ke teer Avantika ke upar chhod deta hai yun achanak sawal sunkar
Avantika ki clone hadbada jati hai par phir turant khudko normal bhi kar leti hai

Avantika:- kya matlab hai tumhara main Avantika ki clone hun aur Vj ke ghar par Vj ka
clone hai Avantika ki clone ki baat sunkar pehle toh Anjali aur Ronit shocked ho jaate hain
par iss shock se unka doubt bhi clear ho jata hai ki naa toh unke saamne khadi ladki
Avantika ki asli clone hai aur naa hi Vj ka clone wo hai jise Vj ne apne peeche yaha chhoda
tha

Ronit:- tune khud hi ye saabit kar diya ki tu Avantika ki clone nahi hai aur agar tu wo clone
nahi hai jise hamare dost ne banaya tha toh Vj ke ghar par jo hai wo bhi hamare dost ka
clone nahi ho sakta Ronit ki baat sunkar Avantika ki clone shocked ho jati hai

Avantika:- ye tum kaise keh sakte ho?

Anjali:- ek tarah se clones apne asli roop ke yaar fir uss roop ko dene wale ke gulaam hote
hain issliye clones kabhi bhi apne asli roop ka ya fir uska jisne usse roop diya ho uska naam
nahi lete khaas kar kisi aise ke saamne jo unki asliyat jante ho par tumne abhi Vikram ko
Vj kaha apne malik kaa naam liya wo bhi wo naam jise usse sirf uske dost bulate hain
issliye tum Avantika ki wo clone toh ho nahi sakti jo Vj ne banaya tha aur agar tum Vj ki
banayi clone nahi ho toh khud Vj ka clone bhi koi aur hai kyu ki agar aisa nahi hota toh Vj
ka clone tumhe pehchaan leta kuch pal tak Avantika ki clone Ronit aur Anjali ko ghurti rahi
par fir hahaha wo clone hasne lagi par uski hasi sun Ronit aur Anjali firse chonk gaye aur
wo issliye kyu ki Avantika ki clone ke haste waqt jo awaaz nikal rahi thi wo kisi aur ladki ki
thi par abhi un dono ko do baar aur chonka bacha tha kyu ki Avantika ke theek baaju me
ek kaala saaya ubhra aur uss kaale saaye ne houle houle roop lena shuru kiya aur aakhirkar
jab uss saaye ka roop pura hua toh waha par Vj ka clone khada tha Anjali ya Ronit kuch
kehte usse pehle hi unhe ab tak ka sabse bada jhatka laga aur wo islilye kyu ki Avantika
aur Vj ke clones ne ek baar firse apna roop badalna shuru kiya ya fir ye kahu ki ab wo dono
apne asli roop me aa rahe the kuch hi palon me Ronit aur Anjali ke saamne do naye chehre
khade the

Anjali:- kaun ho tum? aur Vj aur Avantika kaha hain?

1st Person:- Bhuvika

2nd Person:- Beelzebub

Ronit:- abbe pauranik kathaon se bahar phuddakar kar aaye ho kya? ye kaise naam rakhe
hain tum dono ke tumhare ghar walon ne

Beelzebub:- pouranik kathayen hamare baad janmi hain bacche

Ronit:- tu itna dokra hai kya lagata hai yaar jo abhi tak jawaan hai

Beelzebub:- lagata nahi lagwata hun mout ko gale tum dono ko bhi wahi lagwaane aaya
tha par ab yojna thodi badal gayi hai tujhe bolne ka bohat shouk hai naa aaj ke baad tere
mouh me zubaan toh hogi par tu kuch bolega nahi bas iss pal ko yaad kar kar ke tadpega

Bhuvika:- tere saamne aaj teri premika maregi aur tu kuch nahi kar payega

Beelzebub:- aur jab aisa hoga tab dekhenge ki teri zubaan kitni chalti hai Beelzebub aur
Bhuvika ki baat sunkar Ronit ko ghussa aa gaya tha par isse pehle ki wo kuch bolta ya karta

Anjali:- Vj kaha hai?

Beelzebub:- filhal zinda hai par kab tak pata nahi

Ronit:- tum jaise laakhon ko wo apne mooth me baha de itna dum hai usme samjha
chutiye Ronit ki baat sunkar Beelzebub ko toh zyada nahi par Bhuvika ko ghussa aa gaya
aur agle hi pal

Anjali:- arre hum yaha kaise? Ronit bhi idhar udhar dekhne laga hua ye ki Bhuvika ne apne
mann main ek sunsaan jagah ka awaha kiya aur agle hi pal charon uss sunsaan jagah par
pahunch chuke the

Bhuvika:- ye hai tumhari maran bhumi bina apni marzi ke Bhuvika ka yun un dono ko ek
nayi jagah par transport karne se Ronit aur Anjali ye samjh gaye the ki un dono ke saamne
jo do log khade hain wo maamuli nahi hain dono ne hi talvar ka awaha kiya aur agle hi pal
ahhh ye dono dard bhari aah Ronit aur Anjali ke mouh se nikli thi par ye aah naa toh
Bhuvika ke waar se nikli thi aur naahi hi Beelzebub ke waar se darasal awaha se prakat hui
Ronit aur Anjali ke haath ki talwar agle hi pal aag jaisi garm hokar galne lagi yaha tak ki
talwar ki jis moot ko Anjali aur Ronit pakde hue the wo bhi aag si garm ho gayi jis wajah
se dono ke haath se unki talwar chhuth gayi aur unke mouh se aaah nikal gayi

Beelzebub:- kya hua? baat nahi bani ek aur baar koshish kar lo

Ronit:- teri toh main ye bolkar Ronit tezi se Beelzebub ki taraf aage badha par wo zyada
aage badh nahi paya Beelzebub ne hawa Ronit ke saamne uske sharir ke size ka hi ek air
force khada kar diya jiski wajah se Ronit aage nahi badh paa raha tha wahi Anjali ne ek
baar firse ek talwar ka awaha kiya par iss baar usne usse haath me naa lekar hawa ke
sahare hold kiya aur Bhuvika ki taraf chalang laga di Anjali ko aisa karte dekh Bhuvika ke
chehre par ek zehrili muskaan aa gayi Bhuvika ne bhi Beelzebub ki hi tarah hawa me
saamne ki taraf ek tarang chhoda jo saamne se tairta hua aaya Anjali ke sharir se takraya
Anjali ka sharir wapas peeche ki taraf pheka gaya par Anjali ne khudko hawa me hi adjust
kar liya aur kala baazi khaate hue apne pairon par land hui

Beelzebub:- tum dono ko khush hona chahiye ki tumhare jaise sadharan tucch logon ko
hum jaise maha shaktishali devils se ladhne ka mouka mila

Anjali:- maha shakti shali tum dono ke andar jo shaktiyan hain ya toh wo Vikram ki jaagir
hain yar fir uske bhai ki

Ronit:- ye ek bheek hai aur bheek me mili shaktiyon ka ghamand nahi kiya jata jab tak
hamara dost wapas nahi aa jata apni iss galat fehmi ko jee lo uske baad mouka nahi milega
Anjali aur Ronit ki baat sunkar Beelzebub aur Bhuvika ko ghussa aa gaya Beelzebub ek
second ke souve hisse me Ronit ke thek saamne pahunch gaya aur Ronittt ye awaaz Anjali
ke mouh se nikli thi kaaran isse pehle ki Ronit kuch samjh paata Beelzebub ne ek punch
Ronit ke pet me maara Ronit ke mouh se khoon bahar fenka gaya jise dekhkar Anjali ki
cheekh nikal gayi par Beelzebub yahi nahi ruka Ronit ke jhukne ki wajah se uska maatha
Beelzebub ke pair ke saamne tha Beelzebub ne apne ghutne modte hue Ronit ke
cerebrum (sar) par ek prahar kiya Ronit ke sar ke nas iss takkar se hil gaye Ronit ke naak
se khoon ki patli si nadi behne lagi Ronittt Anjali ki ye dard bhari cheekh aur tez thi par
dard ke saath saath Anjali ko bohat tez ghussa bhi aaya aur jaise hi usne apna sar saamne
kiya wo shocked ho gayi kaaran uske just saamne Bhuvika khadi thi jiske chehre par
haiwaniyat se bhari muskaan thi aur agle hi pal ahhh nahiii dard bhari karaah Anjali ke
mouh se nikli thi wajah uske seene ke thek neeche pet jahan se shuru hota hai waha se
ek talwar aar paar ho chuki thi ye ek maayavi talwar thi jise Bhuvika ne bina chhue
istemaal kiya tha jis wajah se Anjali usse dekh nahi payi dusri awaaz Ronit ke mouh se nikli
thi jo apni aadhi khuli aadhi band ho rahi aankhon se apne pyar ko marte hue dekh raha
tha Anjali ke andar talwar ghussa Bhuvika Ronit ki taraf badhi par

Beelzebub:- apne mehboob ko apne aakhon ke saamne marte dekhne se badi saza aur
kuch nahi ho sakti rehne de isse maine kaha tha baaki ki zindagi isse bina awaaz ke aaj ke
din ko yaad karke ro ro kar bitani hogii ye zindagi hi iski saza hai Beelzebub ki baat wo
aakhri awaaz thi jo Ronit ke kaano ne suni iske baad Ronit ki aankhen band hoti chali gayi
aur uska sharir ek taraf ludhakta chala gaya wahi usse kuch door par apne ghutno ke bal
ek talwar ko apne aar paar liye baithi Anjali bhi Ronit ko dekhte hue ek taraf ludhak gayi
Ronit se ulat Anjali ke aankhon me ek sukoon tha sukoon ki kamse kam uska pyar sirf
behosh hua hai mara nahi sukoon ki apne aakhri lamho me uske aankhon ke saamne uska
pyaar toh hai ek khoon ki hichki lete hue Anjali ki aakhen band ho gayi waha Anjali ki
aankhen band hui yaha hamesha ki tarah mere sar me dard utha aur meri aakhen khul
gayi mujhe jis machliyon ne charon taraf se ghera hua tha mere aankh khulte hi wo sab
bhaag gayin thande paani ke andar iss waqt meri aakhen aag si garm thi pura paani mere
aankhon ki garmi se garm hone laga kuch der tak main shunya me ghurta raha fir apni
aakhen band ki aur jab dobara kholi toh toh sab theek tha maine apne sharir ko ek jhatka
diya aur agle hi pal mera sharir ek tez teer ki speed se paani ko cheerta hua bahar aa gaya
do second aur mere pair hare hare ghaas ke upar the

Main:- ae zindagi tu bhi zyada jeekar kya karegi? dekhna ek din aayega jab tu bhi tadap
tadap kar maregi main gaayab ho gaya

Place: St Peter's College Delhi

St Peter's College is one of the finest college in

Delhi Maths Science Commerce Arts yaha har subject ka alag alag department hai aur aaj
yaha par har subject ke admission aur readmission ka final date hai commerce students
ho ya arts students engineering sector ho ya fir medical field ke students sabhi aaj yaha
form fill karne ke liye moujud hain St Peters ki entrace me bana ek bada sa lohe ka gate
jise abhi hote hue Bmw se Jaguar tak Audi se lekar Mustang tak saari brands ki car enter
kar rahi thi ki tabhi

abbe lodu yahi rok apne amma ke ghar tak chhodega kya? meri awaaz sunkar auto driver
jo college gate ko cross karta hua aage nikalne laga tha usne turant break maar di

Auto Driver:- kya sahab gaali toh mat do


Main:- aww mere baabu ko bura lag gaya aa ek chummi deta hun saale bhos******auto
ko plane banakar bhagaye jaa raha hai toh gaali nahi toh kya taarif karu teri tere ko bola
toh tha ki St Peter jana hai toh roka kaahe nahi tu?

Auto Driver:- ohh toh aapko st peter college jana thamujhe laga aap st peters church bol
rahe hoissliye main bhaga raha tha

Main:- aisa toh ek kaam kar pehle church hi lele par church se thoda pehle utar dena
udhar tera murdur kar dunga fir church me confession box me jaakar God se maafi maang
lunga waise bhi God aaj kal insaano se zyada shaitano par meherbaan hain chal chalen

Auto Driver:- kya sahab aap bhi ab utariye bhi aapka college aa gaya hai

Main:- acha hua bata diya waise kitne hue tere?

Auto Driver:- 150 rupees

Main:- kitna 150 saalon loot macha rakhi hai sab ne isse acha toh paidal aa jata le pakad
mera

Auto Driver:- kya sahab?

Main:- kya kya pakadta hai tu pakad mera paisa jo ab tera ho gaya hai ye bolkar maine
auto wale ko paise diye aur college gate ki taraf nikal pada

Main:- toh ye hai St Peters St Stephens jaisa hi hai main entrace gate ke beech khade ho
ek angdayi le college ko dekhne laga

Main:- lagta hai Delhi ke saare rahis lounde loundiya yahi padhte hain saalon ke beech
main kaha fit baithta hun ghanta main kaha fit baithta hun saale ye sab mere saath kaunsa
fit baiththe hain ajeeb chutiyapa hai form submission ka last date hai aur ye sab
chuti***** gap maarne me busy hain haan saalon ke maa baap ne phone me hi sab kaam
karwa diya hoga ganduon ka koi kaam khudse nahi hota saale suhaagraat manane ke liye
bhi kisi aur ki madad lenge kya? arre bhaad me jayen ye sab aur main in chu*** ke bare
me sochkar kyu apna time waste kar raha hun chal bhai Vj jaldi se form bhar aur kalti maar
idhar se itne saare paise wale bhikariyon ko dekhkar ulti aa rahi hai mere ko ponn ponnn
main aage badhne hi wala tha ki mere piche se kisi ne car horn blow kiya waise toh galti
meri thi kyu ki main entrace gate ke beech me khada tha par ghanta galti meri thi meri
marzi main jahan bhi khada rahun
Main:- abbe chup apne baap ke gaa**** me jaakar baja horn ho sakta hai tere ko ek bhai
ka sukh mil jaye main piche palat kar chillaya mere piche iss waqt ek red colour ki ferrari
khadi thi jiske andar do bande baithe hue the aur filhal un dono ke hi sar bahar the maine
jo bola wo un dono ne sun liya aur meri baat sunkar dono ki hi satak gayi

1st Banda:- kya bola bas******* apne apne side ka door kholte kholte gaali dete dete
dono bahar aane ke liye hue hi the ki mera haath unki car ke bonet ke beech me pada aur
agle hi pal bhaaddd iss awaaz ke saath unki feraari ki mout ho gayi bonet ke beech se hote
hue mera haath engine tak ko cheerte hue nikal gaya wo toh ganimat hai ki unki car ka oh
sorry I mean unki late car ke safety baloons turant activate ho gaye jis wajah se unka sharir
peeche seats se chipak sa gaya warna un dono ko bhi kafi serious choten aati jahan un
safety baloons ke piche dabe un do ladkon ke chehron par dar ke bhaav the wahi mere
aaas paas jitne bhi students the wo bhi kafi shocked the darasal un sab ne bas uss awaaz
ko suna tha jo mere haathon ke uss car ke bonet par lagne ke baad hui thi kisi ne bhi uss
pure incident ko nahi dekha tha warna unke shock sadme me covert ho jaate sabhi mere
saamne khadi aur should I say padi car ki taraf lapke wahi main apni masti me college ke
andar ki taraf nikal pada main thoda aage hi gaya tha ki excuse me awaaz mere piche se
aayi thi main palta toh dekha ki ek sukhi kankal ke upar halki halki chamdi odhe ladka
aankhon me mote mote lenses wala chashma lagaye mujhe dekh raha tha

Main:- bhai mere paas khaane ke liye kuch nahi hai meri baat uske palle nahi padi

Ladka:- khaana main toh aapse ye puchna chaah raha tha ki admission form kaha submit
karna hai?

Main:- yaha meri chaddi ke andar aa ghus jaa

Ladka:- what non sense ye kaisi baat kar rahe hain aap? aapko kisi se baat karne ka tarika
bhi nahi pata kya?

Main:- nahi pata ab ghusega abbe chu*****main kya tere ko yaha ka peon dikhta hun jo
tu mujhse address puch raha hai aur waise bhi tujhe college me admission ki nahi hospital
me admit hone ki zaroorat hai saale halki si hawa chal gayi naa toh tu ud jayega

Ladka:- maine aaj tak tumhare jaise badtamiz ladka nahi dekha

Main:- aur dekhega bhi nahi mere jaise piece baar baar paida nahi hote aur waah beta
bohat jaldi aap se tum me aa gaya tu

Ladka:- tum aap kehne ke layak nahi ho


Main:- abbe tu bhi toh zinda kehlane ke layak nahi hai fir bhi zinda toh hai naa

Ladka:- tumse toh baat karna hi bekar hai ye bolkar wo dusri taraf jane laga

Main:- oye furfundi uss taraf nahi iss taraf yaha ho rahe hain form submit maine ek taraf
point karte hue uss bande ko bataya

Ladka:- jab pata tha toh sidhe sidhe bataya kyu nahi

Main:- main teri body check kar raha tha yaar ek baat toh bata kitne saalon ke upwaas ke
baad aisi body banegi ek baar main bhi try karunga uss ladke ne ek baar mujhe ghur kar
dekha aur fir mere dikhaye raaste ki taraf chal pada main bhi uske piche piche chalne laga

Ladka:- oh God yaha toh kitni lambi line hai hamari baari aane me toh do ghante se zyada
lag jayenge

Main:- hamari nahi sirf teri main toh do minute me hi form bhar dunga

Ladka:- bol toh aisa raha hai jaise crore pati baap ka beta ho

Main:- baap ke naam aur paison ki zaroorat bina ridh ki haddiyon wale bando ko hoti hai
mujhe nahi apne paas har chiz ka jugad rehta hai

Ladka:- kaisa jugad

Main:- dikha toh dun par phategi toh nahi teri

Ladka:- main kisi se nahi darta

Main:- haan dikhta hai ye bolkar maine apne bag me haath daala aur agle hi pal jab mera
haath bahar nikla toh

Main:- abbe chup chilla kar game mat kharab kar kuch der laga fir dheere dheere wo ladka
normal ho gaya par abhi bhi wo bohat dara hua tha toh hua ye ki jaise hi maine apne bag
se apna left haath bahar nikala toh mere haathon me ek black maamba tha (snake) aur
black maamba ko dekhkar toh ache ache dar jaate hain fir mere saamne khada ladka toh
pehle se sukha chuwara tha saanp ko dekhkar wo chillane hi wala tha par maine uske
mouh ko apne dusre haath se band kar diya aur kuch der baad jab wo normal hua tab
maine apna haath hataya

Ladka:- ye toh

Main:- black maamba hai ladke ki ye naam sunkar aur fat gayi
Ladka:- par ye tumhe kaat kyu nahi raha

Main:- maine isse shaadi kar li hai ab bhala koi apne pati ko kaatata hai kya?

Ladka:- tum koi bhi baat ka sidha sidha jawab nahi de sakte kya?

Main:- nahi abbe battery kab se ye mouh khole hue hai dhayan se dekh iske daant hi nahi
hain toh ye dasega kaise uss ladke ne jab dhayan se dekha toh paya ki main sach bol raha
hun

Ladka:- arre haan iske toh daant hi nahi hain par isse yaha kyu laya hai?

Main:- naagin daance karwane ye bolkar maine saanp ko neeche zamin par chhod diya
aur agle hi pal

Main:- saanp bhaago meri awaaz sun saamne khade bando ki nazar unke taraf aa rahe
saanp pe padi aur uske baad kya hua ho ga ye toh aap sab jante hi hain saanp se zyada
toh waha moujud students tedhe medhe hokar bhaagne lage ek minute se bhi kam time
me pura admission counter khaali ho gaya sab ke gaayab hote hi maine saanp ko bhi gayab
kar diya

Main:- chalo bhai main chala admiision karane tu do ghante baad aayiyo

Ladka:- bhai main bhi chalun kya?

Main:- abbe meri shayadi hai kya jo tu invitation dene par hi aayega chal main aur wo
banda admission countar par pahunche

Main:- sir ji ye mera form aur scholarship letter counter wale bande ne pehle mera
scholarship letter dekha confirm karne ke bad usne mera admission form le liya

Sir:- toh aap hain national topper Vikram Jairaj Singh

Main:- nahi main uska humshakal hun usko maarkar uski jagah padhne aaya hun free me
meri baat sunkar wo banda hans diya

Sir:- nice sense of humour apna admission process complete kar jab main palta toh mujhe
hasi aa gayi wo ladka mujhe mouh faade dekhe jaa raha tha

Main:- itni gandi shakal uspe mouh faad rakha hai tune aise hi maar de yaar dheere
dheere torture naa kar
Ladka:- aap hain national topper Vikram aapne top karne ke baad jitne bhi interviews diye
hain wo sab padhe hai maine shayad aapki photo bhi dekhi hai par hamari mulakat jis
tarah se hui main aapko pehchaan hi nahi paya hi myself Sujith Naayar

Main:- waah beta aap se tum aur fir tum se aap aur mujhe pehchaan kar kya karega apni
pehchaan bana ye bolkar main aage badh gaya aur wo mujhe jata dekhta reh gaya

Place: Hotel Cuisine Unlimited

Manager:- hey u mobile me ghuse rehne ke paise milte hai kya tumhe table no for abhi
abhi occupy hua hai jaao aur order lo uss waiter ne apna mobile jeb me daala aur table
no for ki taraf chal pada

Waiter:- good evening sir good evening ma'aaamm tum wo ladki bhi waiter ko dekhkar
kafi shocked ho gayi thi

Ladka:- do u know him? par uss ladki ne apne saath aaye ladke ki baat jaise suni hi nahi
wo ek tak waiter ko dekh rahi thi jab ladke ne dekha ki uss ladki ne uski baat nahi suni toh
usne usse hilaya tab jaakar kahi wo ladki hosh me aayi

Ladki:- Vikram tum ji haan doston ye waiter aur koi nahi main hi tha aur wo ladki

Main:- hi Shaifali how are u? ji haan dosto ye hamari college ki game queen Shaifali hi thi
jo apne bhai ke saath yaha aayi hui thi Shaifali ne mere how are u ke jawab ke badle khud
hi sawal puch liya

Shaifali:- tum waiter kaise?

Main:- arre yaar ye mera dream job tha jo finally mujhe mil gaya meri baat sunkar Shaifali
ka cousin brother hans diya

S/brother:- arre yaar uski financial problem hogi apne bhai ki baat sunkar Shaifali ne usse
ghurkar dekha

Shaifali:- tumhare dad kis company ke branch me Senior Manager hain?

S/brother:- Jairaj steel

Shaifali:- tumhe pata hai naa ki unka beta mere saath hi padhta hai

S/brother:- haan toh?

Shaifali:- milna chahoge usse?


S/brother:- I would love too

Shaifali:- toh milo tumhare saamne hi toh khada hai Shaifali ne meri taraf ishara kar apne
bhai se ye baat kahi aur iske baad uske bhai ke chehre par wahi chu*** wala reaction aa
gaya jise dekhne se mujhe chidh hai

Shaifali:- yaar Vj ye sab

Main:- fir kabhi maine Shaifali ki baat beech me hi kaat di abhi humme se koi kuch kehta
usse pehle hi manager aa gaya

Managaer:- tu yaha khade khade kya kar raha hai? order lene me itna time lagta hai kya?
manager ki baat Shaifali ko achi nahi lagi wo kuch kehne hi wali thi ki

Main:- sir in me aur aap me fark hai naa ye aapki tarah langar me toh khaate nahi ki jo mil
jaye fatafat khaa len apni pasand ka khaana choose karne me waqt toh lagta hi hai naa
shhh meri baat sunkar manager ko ghussa aa gaya tha aur wo kuch kehne ke liye apna
mouh kholne hi wala tha ki maine apni ek ungle uske mouh ke saamne rakh di

Main:- agar koi bakwaas ki naa bhos****toh aisi jagah maarunga ki moothne wali jagah
se tu hugna bhi start kar dega aur hugne wali jagah se khaana ye job mujhe iss resturant
ke owner ne di hai tune nahi issliye apni akad apne naajayaz baap ke saamne dikhana ye
bolkar main aage badhne laga hi tha ki

Shaifali:- Vj uski aawaz sunkar main ruk gaya

Shaifali:- I am really sorry about Anjali Anjali ka naam sunkar mujhe firse ghussa aane laga
tha par maine control kar liya

Main:- it's ok

Shaifali:- but I am glad ki Ronit bach gaya and now he iss perfectly fine

Main:- hmm

Shaifali:- mujhe ye toh nahi pata ki tum ye sab kyu kar rahe ho par kya tumhari family ko
pata hai?

Main:- nahi aur ho sake toh tum batana bhi mat

Shaifali:- Ronit ko bhi nahi after all hi iss ur best friend

Main:- ab hum dost nahi rahe


Planet: Isla/Warriors World Place: Grah Setu

ek varsh se upar beeth chuka hai Lord of Angels hamari madad karne kab aayenge?

Defender:- unhone hamari madad toh pehle hi kar di hai hamare iss grah Setu ko purnatah
surakshit karke queen Ashley ke sawal ka jawab dete hue Defender ne apni baat kahi aaj
Defender sahit Warriors World aur Isla ki samast praja ko grah Setu ke andar chuppe ek
saal se upar ho chuka tha par abhi tak king Solomon sahit jinho ne ne bhi Beelzebub aur
Bhuvika ko dekha aur unki shakti ko mehsoos kiya tha unme se koi bhi uss waqt ko nahi
bhool paya tha wahi Isla aur Warriors World ki puri praja iss baat se ab tak anbhigya thi ki
un sab ko yun achanak grah Setu ke andar kyu laya aur rakha gaya hai unhe bas itna pata
tha ki unke grahon me koi bohat badi vipada aayi hui hai aur issliye wo yaha hain Isla aur
Warriors World ki praja ko apne apne maharaj aur Defender par bharosa tha wo jante the
ki Defender aur unke maharaj jo bhi kare ge usme un sab ka hith hi hoga aur jab unhe ye
baat pata chali ki kisi bhi badi vipada ke waqt un sab ko yaha rehne ke liye Lord of Angels
ne kaha hai toh wo sab nishchint ho gaye par kyu ki wo pichle ek varsh se yaha the issliye
un sab ko apne apne planets ki bohat yaad aa rahi thi par sahi samay aane tak wo sab kar
bhi kya sakte the har roz ek ummid liye wo pehle God ko yaad karte fir Lord of Angels ko
grah Setu me moujud har kisi ke chehre aur dil me kayi bhaav aa jaa rahe the par in sab
ke beech ek chehre par koi tension nahi thi aur wo chehre ya fir ye kahu ki wo khubsoorat
chehra tha hamari Alesendra ka Alesendra ko ye baat pata thi ki Beelzebub uska beta hai
aur kahi na kahi usse iss baat ka bhi andesha tha ki bhavishya me kabhi na kabhi uski aur
Isla ki mulakat Beelzebub se dobara zaroor hogi aur hua bhi wahi par isse pehle ki
Beelzebub kuch karta Defender pure Isla waasiyon ko bachakar grah Setu ke andar le aaye
the aur jab Alesendra ko Defender ne ye bataya ki aisa karne ke liye Vikram ne hi kaha tha
toh utna jaanna Alesendra ke liye kafi tha Vikram ka naam sunte hi Alesendra nischint ho
gayi thi aur itna lamba samay guzar jane ke baad bhi uska bharosa ek second ke liye bhi
nahi tuta tha apni maa ke sawal aur Defender ke jawab ke baad usne bhi kuch kehne ke
liye apne labh khole

Alesendra:- Vikram ne sirf grah Setu ko hi surakshit nahi kiya hai balki yaha par hamare
zaroorat ke sabhi chizon ka bhi dhayan rakh uska intazam pehle hi kar diya hai Fountain
of Light se hamare waapsi me deri par bhi aapne sawal kiya tha jabki aapko pata tha ki
main kiske saath gayi hun main aapke ya kisike bhi saath surakshit ho sakti thi kintu Vikram
ke saath nahi jab baat Vikram ki ho toh sandeh karna chhodiye maa unki soch aur samjh
hum sab se kayi guna aage ki hai
King Solomon:- Alesendra bilkul sahi keh rahi hai kintu mujhe ek baat samjh nahi aa rahi?

Alesendra:- kya?

King Solomon:- yahi ki beelebub aur uss dusri ladki ne hum sab ka picha itni aasani se
chhod kaise diya

Ashley:- matlab?

King Solomon:- hamare kehne ka taatparya yah hai ki un dono ne hum par hamare mahal
me aakar toh aakraman kiyapar yaha nahi un dono ne grah Setu me ghusne ki koshish tak
nahi ki kya wo dono grah Setu ke pravesh dwaar ko nahi dhund paye? jahan king Solomon
ki baat ko sunkar sabhi soch me pad gaye wahi Defender hans diye Defender ko haste
dekh sabhi chonk gaye aur isse pehle ki koi Defender se unke hasne ka kaaran puchta
Defender ne khud hi bolna shuru kiya

Defender:- aapko aisa kyu lag raha hai king Solomon ki un dono ne grah Setu ke dwar ko
tod kar hum tak pahunchna ka prayas nahi kiya hoga Defender ki baat sun sabhi firse
chonk gaye

King Solomon:- iska matlab un dono ko Grah Setu ka pravesh dwar mil gaya tha aur
unhone Grah Setu ke dwaar ko todne ki koshish bhi ki thi par kar nahi paye

Defender:- haan

King Solomon:- kintu hum sab toh pravesh dwar ke kafi sameep hain fir hume kuch aabhas
kyu nahi hua?

Defender:- kyu ki un dono ki samast shaktiyan milkar bhi Lord of Angels dwara banaye
gaye kawach ko todna toh door usse halki skhati bhi nahi pahuncha sakti un dono ke
aakraman se grah Setu ke bahar ke bhumi par kafi kampan hue par uska zara sa bhi asar
grah Setu ke bhitar nahi hua aur naa hi kuch mehsoos hua jahan sabhi Defender ki baat
sun aur samjh sabhi ne apni mundi haan me hilayi wahi

Lord Crusedar:- grah Setu ko toh koyi haani nahi hui par mere putra ko toh hui hai Lord
Crusedar ki baat sunkar sabhi ki nazar Mokalsar ki taraf gayi jo ek jagah chup chaap baitha
shunya ko ghur raha tha sabhi uski mano dasha samjhte the par wo kar bhi kya sakte the
sabhi uske paas chale gaye queen Ashley ne Mokalsar ke sar par haath fera jise wo apni
soch se bahar aa gaya

Mokalsar:- arre queen aap kuch kaam tha?


Ashley:- tum mujhe maa keh sakte ho putra Ashley ki baat sunkar ek pal ke liye Mokalsar
bhavuk hua par usne khud ko sambhal liya

Mokalsar:- mujhe iss yogya samjhne ke liye shukriya queen mera matlab maa queen
Ashley ne Mokalsar ka maatha chuma aur

Ashley:- putra tum Warriors World ke yuvraj ho tumhe yun udaas hona shobha nahi deta
main janti hun ki tum Akshaant aur Shaila ko bohat yaad karte ho par filhal kuch kiya bhi
toh nahi jaa sakta Ashley ke mouh se Akshaant aur Shaila ka naam sunkar Mokalsar ka
dhraya jawab de gaya uske aankhon se aansu chalak gaye

Mokalsar:- Shaila meri behan jaisi thi aur Akshaant bhai jaisa aur aaj dono hi itne kasht
me hain aur main unhe unke kasht se nijat dilane ke liye kuch bhi nahi kar paa raha hun
Mokalsar ki baat sunkar sab sirf udaas hi nahi shocked bhi ho gaye

King Solomon:- tumhe kaise pata ki Shaila aur Akshaant kasht me hain ho sakta hai ki wo
dono bhi hamari tarah kahi chhup gaye hon

Mokalsar:- aisa nahi hai wo dono abhi bohat kasht me hain aur iska sirf ek arth ho sakta
hai aur wo ye ki wo dono Beelzebub aur Bhuvika ki kaid me hain

Alesendra:- tum ye kaise keh sakte ho?

Mokalsar:- Gluto me Nishkalika se ladhne ke liye jab Vikram hum teeno ko training de
raha tha tab wo janta tha ki Nishkalika chhal bhi kar sakti hai issliye Vikram ne hum teeno
ko ek dusre se jod diya tha yudh me haar sharir ke thakne ya usse chot lagne se nahi hoti
balki dimag ke thakne se hoti hai issliye Vikram ne aisa kiya tha Vikram chahta tha ki jab
ek ki yudh neeti kamzor pade toh baaki ke do uske dimag me naye naye upaay daalte
rahen issliye hum teeno aaj bhi ek dusre se jude hue hain grah Setu ke pravesh dwar par
lage kawach ki wajah se main un dono se sampark toh nahi kar paa raha hun par ek dusre
se jude hone ki wajah se main un dono ko mehsoos kar sakta hun aur iss wajah se har pal
mere dil me ek bechaini aur un samjha dard rehta hai ye tabhi ho sakta hai jab un dono
ko yaatnaayen di jaa rahi ho jahan Mokalsar apni baat kehkar chup ho gaya wahi baaki
sab uski baat sunkar udaas ho gaye sabhi Mokalsar ko saantavna dene me lag gaye par iss
beech Alesendra ki nazar peeche ki taraf gayi jahan Defender akele khade the Alesendra
kotuhal wash ye janane ke liye ki Defender kya kar rahe hai unke paas chali gayi par
Defender ke saamne pahunchkar Alesendra ka excitement shock me badal gaya aur wo
issliye kyu ki Defender ki iss waqt aankhen band thi aur unke chehre par do do bhaav ek
saath tair rahe the ek gum ki aur dusri khushi ki kuch der baad jab Defender ne aakhen
kholi toh Alesendra ko khudko ghurte hue paya

Alesendra:- kuch hua hai kya Defender? Defender kuch waqt tak Alesendra ko dekhte
rahe aur fir unke honth hile Defender ne jo kaha usse sunkar Alesendra ke chehre par bhi
wahi do bhaav tairne lage jo kuch der pehle Defender ke chehre par the ghum aur khushi

Place: St Peter's College

yaaris dimag ki servicing kaha hoti hai waqt se pehle hi saala sathi ya gaya hai college ki
shakal aaj dusri baar dekh raha hun aur abhi se bore lagne laga khair ab maraane ke
contract par khud hi sign kiya hai marna toh padega hi iss waqt main college ke bahar
khada tha us chu**** faculty ke bande ne fir se mujhe yaha bulaya hai jise maine apna
admision form aur scholarship certificate diya tha scholarship ceritificate ke badle koi
document par sign karna padta hai jispar wo gajni ki aulad mere sign lena bhul gaya tha
wahi karne aaya hun saala ek sign karne ke liye 10 km door aana padh raha hai reputation
ki toh puri lag gayi hai kaisi reputation saale tu koi desh ka PM hai kya jo teri reputation
kharab ho jayegi ek toh saala jab se Courious ko bachakar khud ki maine lagayi hai tabse
koi bc mere andar hugne baitha hai jo meri har baat har soch ki lagata rehta hai

Main:- bhos****apne baap ka baap banna band kar chup chaap rahe kar saale mere andar
rehkar mujhe hi gyan ch*** rehta hai hamesha apne aap se bhunbhunate hue main
college ke andar chala gaya admission dates toh khatam ho chuke the issliye admission
counter bandh ho chuka tha par wo chu***ya jisne mujhe bulaya tha wo admission
counter ke baaju wale counter par baitha hua tha

Main:- (mann main) saala iss college ke counters toh railway counters ki tarah hain local
ticket ka darwaaza band hua par uske baaju me reservations ka chaalu hai abbe chup
chaap jaakar sign kar aur kalti maar khaali pili dimag ka dahi kyu karte rehta hai? huga fir
se huga abbe chup chaap rahe kar jab dekho apne mouh ka gutar khol deta hai main ek
baar firse apne andar chhupe dusre chu***** ko gaali deta hua counter par pahuncha
apne aap par pura control karta hua chup chaap uss ch**** se jis document par sign karna
tha wo liya sign kiya aur chup chaap waha se kalti ho gaya

Main:- haash kamse kam ek kaam toh nipta chalo ab yaha se kalti maara jaye hey you
main abhi aage badha hi tha ki mere piche se aayi iss awaaz ne mujhe palatne par majboor
kar diya aur jaise hi main piche palta
Main:- arre yaar ab ye saale chindi phudkenge aur aise aise bakwaas dialouges bolenge ki
pakka mujhe ulti aayegi jahan main apne me firse budbudane laga wahi mujhe jisne awaaz
di thi wo aur uske saath kuch aur ladke meri taraf aane lage baakiyon ka toh pata nahi par
un ladkon me se do ko main janta hun ghanta janta hun bas dekha hai bol saale

Main:- tu fir huga par iss baar sahi huga I mean bola haan dekha hai ye wahi do bande the
jinki ferrari ko cake samjh kar maine beech se kaat diya tha par main college ke beech koi
scene nahi chahta tha issliye

1st Ladka:- abbe kaha bhaag raha hai? pakdo saale ko hua ye ki main iss waqt college ke
main gate ke paas hi tha issliye maine college ke bahar ki taraf doud laga di aur wo sab
bhi chillate hue meri peeche bhaagne lage jaisa ki maine bataya tha ki admission close ho
chuke the aur abhi college bhi start nahi hui thi issliye bohat kam students aaye the par
kuch students kuch kaam se aaye the aur main unke saamne kuch karna nahi chahta tha
issliye maine college ke bahar jana thek samjha par bhaag sirf main aur mere piche wo
ladke hi nahi rahe the hum sab ke peeche koi aur bhi tha jo bhaagte bhaagte hamare paas
aa raha tha college se bahar nikal main thodi door tak bhaga aur fir ruk gaya ye area thoda
sunsaan tha wo ladke bhi bhaagte bhaagte mere piche pahunch chuke the

Ladka 1:- tu wahi hai naa jisne meri car todi thi

Main:- abbe bhos****agar sirf shak hai toh itne bande kya apne baap ki shayadi me
naachne ke liye leke mere piche bhaag raha hai kya?

Ladka 2:- kya bola be c**** mmmm chataakk isse pehle ki uski gaali puri hoti maine uska
mouh daba diya tha usse kuch bola nahi jaa raha tha aur isse pehle ki uske frndz kuch
karte maine jiska mouh dabaya tha usse ek halka sa thappad maara wo wahi gir gaya abbe
lou** zyada haath pair na chala diyo mar war naa jaye koi kahi? ye awaaz fir se mere
andar se aayi thi

Main:- (mann main) pata hai be apne baap ko mat sikha main yaha khudse khudko gaali
dene me busy tha wahi mere saamne khade ladke apne friend ki haalat dekhkar dar gaye
the

Main:- mara nahi hai sirf behosh hai ab suno be bagair chilke ke mungfalliyon bina koi
naya ch***pa kiya yaha se nikal lo warna sabhi behosh ho gaye toh tum sab ko awara
kutte samjh kar municipality wale le jayenge aur tu be lo***e agli baar main jahan khada
dikhun waha horn naa bajaiyo horn ki awaaz se mujhe ghussa aata hai samjha un me se
do ladke mujhe maarne ke liye aage badhe hi the ki jis bande se maine apni baat kahi thi
usne un dono ko rok diya usse wo scene yaad aa gaya tha jab maine uski car ek baar me
beech se kaat di thi uske upar abhi abhi uske frnd ka jo haal hua tha usse dekhkar wo
samjh gaya tha mujhse bhidkar un sab hi nuksaan hoga

Main:- abbe tum ch***** ko samjhdaari maar khaane ke baad hi kyu aati hai pehle hi
samjh gaya hota toh tera frnd aise lawaris ki tarah pada nahi hota naa

Ladka 2:- abhi toh hum jaa rahe hain but tu

Main:- janta nahi ki maine kisse panga liya hai yahi naa?

Ladka 2:- nahi tu janta nahi ki tune kisse maarkar behosh kiya hai ye Minister ka beta hai
iske baap ko jab pata chalega toh wo tera jina haraam kar dega iss college ke saath saath
iss shahar me bhi tu ab chain se jee nahi payega main uski baat sunkar hans diya aur karta
bhi kya puri duniya ka sukoon jiski wajah se kaayam hai ussike sukoon ko khatam karne ki
baat kar raha tha wo ladka

Main:- chal nikal isse zyada bolne ka mera mood hi nahi hua wo sab mujhe ghurte hue
apne frnd ko uthakar nikal gaye par tabhi un sab ke mere saamne se hathate hi mere
saamne ek naya chehra aa gaya ya fir ye kahu ki ek aisa purana chehra jise main jitni baar
bhi dekhta hun toh aisa lagta hai jaise main usse pehli baar dekh raha hun

Main:- Avantika ye naam na sirf mere mouh se balki meri aatma ki gehrayi se bhi nikli
wahi Avantika ek still face liye mujhe dekhe jaa rahi thi aur isse pehle ki main kuch kehta

Avantika:- coffee house main wait kar rahi hun ye bolkar wo mud gayi

Main:- (mann main) coffee house? abbe ye kya koi chota sa town hai jahan ek hi coffee
house hoga? itni choti si gutthi tu samjh nahi paya toh fir tere life me jo itne bade bade
puzzles hain unhe kaise suljayega? tere college ke just side me hi toh ek coffee house hai
wo ussi ki baat kar rahi thi mere andar baithe ch****** ne apna bina mouh wala mouh
firse kholkar apni baat kahi

Main:- toh sidha sidha bhi toh bol sakti thi waise hi jaise sidhe sidhe tune apna faisla usse
sunaya ya fir ye kahu ki thop kar yaha chala aaya ab mere andar se aayi iss awaaz ka jawab
mere paas nahi tha saala bol toh sahi raha tha main chup chaap kuch sochte hue kuch der
tak khada raha fir coffee house ki taraf nikal pada

In Coffee House

what would u like to have maam?


Avantika:- one cappuccino

Waiter:- sure maam waiter Avantika se order lekar chala gaya iss waqt Avantika ka chehra
ekdum still tha koi expresion nahi par chehra jitna chup tha aakhen utni hi baatein kar
rahi thi dard ghussa shikayat sab kuch tha iss waqt Avantika ke aankhon me par in sab se
upar thi yaad un saare lamho ki yaad jiski wajah se iss waqt Avantika yaha moujud thi kuch
aisi yaadein bhi uske zehen me taaza ho rahi thi jinka wo khud hissa nahi thi aisi kaun si
yaad tair rahi thi iss waqt Avantika ke aankhon me chaliye hum bhi un yaadon ko jee lete
hain

Small Flashback:

Ronitt mere bacche tujhe hosh aa gaya ye bolkar Ronit ki mom Ronit ke gale lag gayi ye
wahi scene hai doston jab apne hero ne Ronit ko coma se bahar laya tha aur Ronit Anjali
ka naam lete hue ya fir ye kahu ki chillate hue uth gaya tha Ronit ke baaju me hi uss waqt
Ronit ka haath pakde aankhon ko band kiye hue uski mom baithi hui thi jo apne bete ko
coma se bahar aata dekh uske gale lag gayi thi wahi Ronit lambi lambi saanson ke beech
wapas khud ko normal karne ki koshish kar raha tha par jaise hi Ronit normal hua usse wo
sab dobara yaad aane laga usse dobara ehsaas hone laga ki ab uski Anjali iss duniya me
nahi hai aur ye yaad aate hi Ronit ki aakhon se aansu ki dhaar nikal padi kuch der tak apne
bete ke gale lage rehne ke baad jab uski mom usse alag hui toh unki nazar unke bete ki
aansuon par gayi jise dekhkar unka dil bhi ro utha

Ronit:- mom mom Annjjuu apne rone ko control karte hue Ronit ne Anjali ke bare me
janana chaha Anjali ka naam sunkar Savita aunty ki bhi rulayi phut padi

R/Mom:- hamari Anju uss accident me nahi bach payi beta

Ronit:- accident par isse aage Ronit kuch nahi bola usne ek baar apni aakhen band ki uske
dimag me aage ki baatein apne aap ghum si gayi wo samjh gaya ki Bhuvika aur Beelzebub
ne un dono ke saath jo bhi kiya uskse baad me ek accident ka roop de diya hoga Ronit jhat
se uth kar baith gaya

R/Mom:- arre beta abhi tu kamzor hai tu abhi aaram kar

Ronit:- nahi mom main ekdum thek hun ye dekhiye ye bolkar Ronit turant uth baitha itne
time ke baad coma se bahar aaye bande ke sharir ko normal hone me kuch din lagte hain
par Ronit ko yun compeletely fit dekh uski mom pehle chonki par wo khush bhi thi ki unka
beta thek hai
Ronit:- main Vj ke ghar se aata hun mom

R/Mom:- thek hai par driver ke saath jaa khud bike mat chalane lag jana kya pata kuch
kamzori andruni ho aur bike chalate waqt bahar aa jaye Ronit apni mom se behes nahi
karna chahta tha issliye ok bolkar bahar nikal gaya wahi Savita aunty ne phone karke apne
husband ko aur uske baad Neha aur Vikram ki mom Minu ko ye khush khabri de di

Wahi dusri taraf

Avantika:- Vjjj Vj ye kya ho gaya? ab kya hoga? plz naa Vj hosh me aa jao naa Avantika
rote rote mujhe hilaye jaa rahi thi par meri aakhen band thi

Avantika:- ek taraf teri banayi duniya ko banaye rakhne wala tera ye beta aur dusri taraf
ussi duniya ko khatam karne wala tera dusra beta aur wo beta tere iss bete se jeet gaya
yahi hai tera nyaaya tera insaaf haan Avantika upar aasman ki taraf dekhkar ye sab bolti
rahi ab tak Avantika ko sirf rona aa raha tha par ab usse ghussa bhi aane laga tha usse
yaad tha ki Vj ne kaha tha ki uske behosh hote hi ghar par phone karde par wo aisa karna
nahi chahti thi kaaran pehla toh isse uske ghar wale bohat panic ho jaate aur dusra usse
pata tha ki Vj ko koi Dr toh theek kar paata nahi issliye usne wahi Vj ke uthne ka wait karna
hi sahi samjha

Avantika:- Vj plz uth jaao naa tum haar nahi sakte tumhe jeetna hi padega mere liye
Avantika ne ye baat bohat ghusse me kahi thi aur tabhi kuch hua jise dekhkar Avantika
bhi chonk gayi par isse pehle ki wo react karti meri aankhen khul chuki thi

Avantika:- Vj ye kehkar Avantika mujhe baahon me le mere upar let si gayi

Main:- ghar chalen maine lete lete bina Avantika ko hug kiye apni baat kahi meri baat sun
Avantika jsine mere gale ke paas apna sar rakha hua tha usne sar uthakar mujhe dekha
waise toh koi aam din Avantika ko main iss tarah lagatar dekh sakta tha par aaj nahi aaj
mere sar me uski aankhon me dikh rahi mohobbat se dard uthne laga tha maine Avantika
ke dono baazu pakde aur agle hi pal hum dono apne pairon par khade the Avantika ab bhi
meri aankhon me dekh rahi thi par main apni nazre idhar udhar ghuma raha tha Avantika
bhi janti thi ki main aisa kyu kar raha hun? wo janti thi ki mere dimag par Asmodeus ke
khoon ne kabza kar liya hai

Avantika:- kya ab tum mujhse pyar nahi karte? ek sawal iss ladki ka ek sawal aur mera
dimag aur dil dono hil se gaye

Main:- main ghar jaa raha hun tum apne ghar chali jaao
Avantika:- nahi pehle mere sawal ka jawab do kya ab tum mujhse pyar nahi karte

Main:- main jawab dena zaroori nahi samjhta meri baat sunkar Avantika ke chehre par
smile aa gayi

Avantika:- mujhe jawab mil gaya maine Avantika ko ghur kar dekha

Avantika:- ye look apne dushmano ke liye bacha kar rakho

Main:- ho gaya chalo main tumhe ghar bhej deta hun

Avantika:- pehle main tumhare ghar jaaungi main Avantika ki baat sunkar chonk gaya

Main:- kyu? mere ghar kyu?

Avantika:- ab apne sasural jane ke liye kya mujhe tumhari permission leni padegi jana hai
matlab jana hai maine ek baar firse Avantika ko ghur kar dekha fir usse lekar gaayab ho
gaya Beelzebub aur Bhuvika jo mere aur Avantika ke roop me yaha reh rahe the aur jinhe
hamare wapas aane ki bhi jaankari ho chuki thi wo gayab ho chuke the ye wo aakhri baat
thi jo mujhe behosh hone se pehle dikhi thi khair main Avantika ko lekar sidhe apne room
me prakat hua room me issliye kyu ki Beelzebub yahi se gaayab hua tha aaj main 1.5 saal
baad apne ghar apne room me wapas aaya tha par ab mujhe iss baat se bhi fark nahi pad
raha tha aur hamare ghar walon ke liye toh hum kahi gaye hi nahi the mujhe reh reh kar
har chiz par ghussa aa raha tha mere andar chuppa mera astitv mujhe rok raha tha par
jab bhi wo aisa karta mere dimag me dard hone lagta mera mann kar raha tha ki sab kuch
jala kar khaak kar dun par pata nahi kaise main aisa karne se khud ko rok raha tha main
apne bed par sidha let gaya wahi Avantika walls par lagi pictures ko dekhne lagi ussi waqt
neeche

Martha:- Ronit Baba ki wajah se aaj bohat dino baad aapko khush dekhkar bohat acha lag
raha hai madam

Mom:- haan maartha Anjali ke jane ke baad toh jaise hamare khushiyon ko grahan hi lag
gaya tha par aaj kayi dino baad wapas khushiyon ne hamare gharon ka rukh kiya hai mere
bacche ko hosh aa gaya hai aur wo yahi aa raha hai Ronit ke hosh me aane ki khabar jaise
hi Minu ko mili uska dil khushi se jhum utha usne ye baat turant Vikram ko (Beelzebub)
aur fir Jairaj ko phone par aur yaha tak ki ghar ke sabhi noukaron tak ko bata di aur fir
rasoyi me ghus khaane ka kuch pakane lagi kyu ki jab bhi Ronit ghar aata tha toh usse
kuch khaane ke liye maangta tha aur aaj toh wo sidhe 6 mahine ke baad uth raha tha
bhook toh usse zaroor lag rahi hogi Minu aaj sach me bohat khush thi par wo ye nahi janti
thi ki uski ye khushi kuch hi der ki mehmaan hai thodi hi der me wo ghum jo wo kuch der
pehle tak feel kar rahi thi wo aur badh jayegi Minu khushi khushi koi dish tayar kar hi rahi
thi usse lawn me car ki horn sunayi di jise sunkar wo samjh gayi ki Ronit aa gaya hai wo
bhaagte hue kitchen se bahar aayi toh dekha ki Ronit hall ko paar kar upar Vikram ke room
ki taraf badh chuka tha pehle toh uska mann kiya ki wo usse roke par fir usse laga ki iss
waqt Ronit ka Vikram ke paas rehna zyada zaroori hai kaaran un sab ke liye toh Anjali ko
gaye hue 6 mahine beet chuke hain par Ronit ke zehen me toh ye haadsa ekdum fresh hai
uss hadse ke baad Ronit ko abhi jo hosh aaya tha yahi sochkar Minu wapas kitchen ki taraf
mud gayi

Wahi upar:

Avantika:- waise bachpan me tum kuch zyada hi cute the Avantika jo meri pics check kar
rahi thi wo palat kar mujhse boli wahi mujhe toh ye samjh nahi aa raha tha ki Avantika
mere ghar ruki hi kyu hai? wo apne ghar kyu nahi jaa rahi mujhe kuch naa bolte dekh
Avantika mere kareeb aa gayi main usse ghur ghur kar dekhne laga mujhe iss waqt akela
rehna tha par Avantika jaa nahi rahi thi main usse ulta sidha kehna chahta tha par pata
nahi kaise par main usse kuch galat bol hi nahi paa raha tha

Avantika:- hum toh pehle se hi aapke dil me base hue hain aankhen band bhi karege toh
bhi hum hi dikhenge yun ghur ghur kar dekhne ki zaroorat nahi hai aapko

waah kya baat hai yaha toh ishq ki patenge udayi jaa rahi hai kyu ye awaaz hum dono ke
piche darwaaze ki taraf se aayi thi jahan iss waqt Ronit khada tha iss waqt Ronit ki aankhon
me aansu toh the hi par un aansuon se bhare aankhon me dard ke saath saath beinteha
ghussa bhi dikh raha tha aur issliye hi Avantika mere saath aayi thi usse bhi Ronit ke
behaviour ke bare me pata tha wo janti thi ki Ronit bhi abhi abhi hosh me aaya hai uske
dilo dimag me Anjali ki mout ek dum fresh hogi wo uththe hi sabse pehle yahi aayega asli
Vikram se jawab maangne ya fir nakli Vikram se badla lene ke liye agar purana Vikram
hota toh koi tension ki baat nahi thi par abhi jo Vikram ki mental haalat hai usme kuch bhi
ho sakta tha

Ronit:- mujhe toh laga tha ki mera yaha par ussi nakli Vikram se saamna hoga aur main
apna badla le lunga par yaha toh asli Vikram Lord of Angels swayam virajmaan hain abbe
kaahe ka Lord of Angels hai tujo apni dost ko nahi bacha paya wo pure universe ko kaise
bachayega? Avantika ki wajah se mera ghussa ab tak control me tha par Anjali ki baat
karke Ronit uss ghusse ko hawa dene laga tha meri saanse ghusse ki atyadhikta ki wajah
se thodi tez tez chalne lagi jise Avantika ne dekh liya usse kuch galat hone ki feeling aane
lagi aur issliye

Avantika:- dekho Ronit tum actual baat nahi jante Vj toh

Ronit:- tujhse baat nahi kar raha hun main toh apni naak beech me ladaana bandh kar
warna

Main:- warna kya bhos****** Ronit ne Avantika ki baat beech me kaati aur maine Ronit
ki mere mouh se apne liye gaali sunkar ek pal ko toh Ronit ekdum shocked ho gaya aur
jab usne meri taraf dekha toh uske mann main halka dar bhi paida ho gaya kyu ki iss waqt
meri aakhen ghusse ki adhikta se laal ho chuki thi wahi Avantika toh meri awaaz aur mera
roop dekhkar hadh se zyada ghabra gayi thi wo janti thi ki agar main shaant nahi hua toh
anjaam kitna ghaatak ho sakta hai par ab shayad der ho chuki thi jis ghusse ko main kabse
dabaye hue tha Ronit ne usse dhakka de diya tha ab bas uss ghusse ko laava ban fatne ki
der thi

Avantika:- Ronit tum jaao yaha se abhi tumhara Vj ke saamne rehna thek nahi Ronit ab
tak sambhal chuka tha

Ronit:- main kyu jaaun aur main nahi darta isse aur tu tujhe maine kahanaa ki mmmm
Ronit aage kuch keh nahi paya kyu ki maine uska gala pakad usse hawa me utha diya tha

Main:- kya bola tu tujhe dar nahi lagta mujhse janta hai iski wajah kya hai wajah ye hai ki
maine aaj tak tujhe bachaya hai maara nahi tune Vj ka soft side dekha hai uski taaqat nahi
tere jaise laakhon loundo ko main ek chutki me khatam kar sakta hun aur tu kehta hai ki
tujhe dar nahi lagta ruk zara tujhe batata hun ki dar kisse kehte hain

Avantika:- Vj uska gala chhodo usse saans lene me taklif ho rahi hai Avantika sach keh rahi
thi Ronit ki aankhen band hone lagi thi uska chehre khun jamne se laal ho gaya tha par
maine usse nahi chhoda

Avantika:- Vj maine kaha chhodo usse

Main:- chhod dun Avantika ne haan me sar hilaya aur agle hi pal bhaad Ronit ka sharir
mere room ke darwaaze ko todta hua gallery se hokar neeche hall ki taraf girne laga

Main:- lo chhod diya Avantika toh meri harkat dekhkar jad si ho gayi thi

Wahi neeche mom ne dad ko bhi Ronit ke theek hone ke aur ghar aane ke bare me bata
diya tha wahi Savita aunty bhi apne bete ke peeche peeche hamare ghar aa chuki thi dad
aur aunty ke aane ke baad teeno mere room ki taraf badhe hi the ki unhe mere door ke
tootne ki awaaz sunayi di isse pehle ki wo kuch sochte ya samjhte

Savita aunty:- Ronit Ronit ki body gallery se hoti hui neeche girne lagi jise dekhkar Savita
aunty ke mouh se apne bete ke naam ki cheekh nikal gayi par isse pehle ki unme se koi
kuch karta Ronit floor par gir chuka tha door ke tootne aur uske baad Savita aunty ki awaaz
sunkar naanu aur nani bhi apne room se bahar aa gaye the aur jab unhone Ronit ko zamin
par pada dekha toh wo bhi shocked ho gaye sabhi uski taraf doud pade Ronit ka sar gallery
se halka takraya tha jis wajah se uske sar se khoon nikal raha tha par wo ab bhi hosh me
tha

R/Mom:- mera bacha ye kya ho gaya tujhe tu niche kaise gir gaya? ye bol Ronit ke sar ko
apni godh me lekar Savita aunty rone lagi

Ronit:- Vj ne dhakka diya mere gale ko dabane ki wajah se Ronit ko abhi bhi bolne me
halki taklif ho rahi thi usne atak atak kar apni baat kahi par uski baat sunkar sabhi shocked
ho gaye

Dad:- Vickyyy

Main:- boliye dad zor se chikhe par agle hi pal maine unhe araam se jawaab diya main
upar gallery me khada tha

Dad:- ye Ronit kya keh raha hai?

Main:- wahi jo aapne suna mere jawab ko sunkar dad ke saath saath mom aur aunty bhi
shocked ho gaye

Dad:- tu hosh me toh hai

Main:- sach bolne wala har banda kya nashe me hota hai?

Mom:- tu ye kaise baat kar raha hai?

Main:- mouh se ye bolkar main gallery se niche kood gaya Avantika bhi mere piche hi thi
wo bhi doudti hui neeche aayi mom Avantika ko dekhkar chonki kyu ki unhone usse ghar
aate waqt nahi dekha tha par filhal unhone iss baat par dhayan nahi diya

Mom:- tune Ronit ko niche giraya


Main:- nahi maine toh bas usse uske gardan se pakad kar uthaya aur darwaaze par fek
diya par ye itna kamzor nikla ki apna balance nahi bana paya aur darwaaze ko tod gallery
se hota hua neeche gir gaya

Mom:- Vicky ye bolkar mom ne apna haath uthaya par mujhe maar naa payi unke haath
mere gaal par pahunchte pahunchte ruk gaye

Main:- kya mom sirf neeche hi toh gira hai dekh lo zinda hai mara nahi chataakk ye
thappad mere gaal par mom ne nahi Savita aunty ne maara tha par agle hi pal aaaa
dhadamm Ronittt toh hua ye ki Savita aunty ke mujhpar haath uthate hi mera dimag ghum
gaya maine apna haath unhe maarne ke liye uthaya par unhe maar nahi paya par ghussa
kahi toh nikalna hi tha agle hi pal mere side me pade sofe ko maine apne ek haath se utha
liya aur Ronit ke just side me patak diya sofa itne zor se floor se takraya tha ki sofe ke
saath waha ka floor bhi toot gaya wahi aunty ko laga ki maine sofa unke bete ke upar
patak diya hai jis wajah se unki cheekh nikal gayi par jab unhone dekha ki aisa nahi hai toh
unki jaan me jaan aayi

Main:- agli baar mujhpe haath uthane se pehle soch lijiyega ki kahi uske baad apka beta
hamesha ke liye hi naa kahi uth jaye

Mom:- nikal jaa mere ghar se aur dobara mujhe apni shakal mat dikhana

Avantika:- aunty Avantika aage kuch kehti usse pehle hi mom ne apna haath upar kar usse
kuch bhi kehne se rok diya

Main:- cool main toh apni shakal nahi dikhaunga par aap bhi koshish karna ki mere
saamne kabhi naa aao ye bol main wapas apne room ki taraf nikal pada mere piche piche
Avantika bhi aa gayi

Avantika:- Vj ye kya kar rahe ho?

Main:- tum ghar jaao AV mere mouh se AV sunkar Avantika shocked hui par khushi se

Avantika:- main sabko bata dungi ki asli problem kya hai? ahhh ye awaaz Avantika ke
mouh se nikli thi aur wo issliye kyu ki maine usse diwal se sata diya tha

Main:- main khud nahi janta ki main kab kya kar dun issliye mere sabr ka imtihaan mat lo
tumhe jo batana hai wo batadopar agar tumhe lagta hai ki aisa karne se sab thek ho jayega
toh tum galat ho jo bacha hai wo bhi khatam ho jayega aur tum toh janti ho ki Vj jo kehta
hai wo ho jata hai mujhe kisiki zaroorat nahi hai aur main akela hi rehna chahta hun ye
bolkar maine ek drawer se apne 10th aur 12th ke mark sheet aur saath hi apni scholarship
nikali jiska abhi tak maine use nahi kiya tha par ab mujhe iski zaroorat thi

Avantika:- aur meri kya tumhe meri bhi zaroorat nahi hai

Main:- nahi ye bol main aage badh gaya jab main neeche pahuncha toh waha mere mom
dad nana naanu aur aunty sab abhi bhi moujud the

Main:- sirf apne documents liye hain aur kuch nahi ye bol main aage badh gaya naanu aur
nani ne mujeh bohat rokne ki koshish ki par main nahi ruka mere ghar se kadam bahar
nikalte hi do log dhamm karke niche gir gaye ek mom aur dusri Avni iske baad maine kisiko
nahi dikha Avantika ne aaj se pehle mujhe aakhri baar paper ke time dekha tha ya fir ye
kahu ki sirf ussi ne hi mujhe dekha tha kyu ki main last me college aata tha wo bhi hoodie
se sar ko dhakk kar aur papers sabse pehle dekar chala jata tha

Last Paper

Avantika:- hi aakhri paper ke waqt Avantika mujhse pehle paper dekar bahar hi mera wait
kar rahi thi jaise hi main bahar aaya mujhe apne saamne wo khadi dikhi

Avantika:- ek baat puchun? par main ab bhi khamosh hi tha

Avantika:- tumne uss din kaha ki tumhe meri bhi zaroorat nahi hai kya isse main ye
samjhun ki tumhe ab mujhse mohobbat bhi nahi hai

Main:- main Mumbai chhodkar jaa raha hun

Avantika:- ye mere sawal ka jawaab nahi hai bas itna batao ki kya tum ab bhi mujhe pyar
karte ho? maine har taraf nazare ghumayi koi bhi hamare aas paas nahi tha maine ek baar
Avantika ki taraf dekha kuch kehne ke liye mere honth hile bhi par main kuch keh nahi
paya aur agle hi pal main gayab ho chuka tha

maam your cappuccino waiter ke awaaz se Avantika hosh me ya ye kahu apni yaadon se
bahar aayi uska chehra murjhaya hua tha par sirf ek pal ke liye jaise hi uski nazar saamne
gayi uski muskaan wapas aa gayi kyu ki uske saamne main khada tha kisi pata tha tujhse
mohobbat ho jayegi hume toh bus tera muskurana pasand tha kuch der tak usse
muskurate hue dekhne ke baad main uske saamne chair par baith gaya aur uske bolne ka
intezar karne laga par wo mujhe ek tak dekhti rahi

Main:- tum mera picha kyu kar rahi ho? aakhir me jab wo kuch nahi boli toh main hi bol
utha
Avantika:- tumhe kaise pata ki main tumhara picha kar raha hun?

Main:- main kisi ko kar sakun ya naa kar sakun par tumhe mehsoos kar sakta hun AV aur
main tumhe piche ek mahine se apne aas paas mehsoos kar raha hun dekho main wapas
nahi jane wala issliye agar tum mujhe wapas lejane ke liye yaha aayi ho toh ye jaan lo ki
isse koi faayda nahi hoga

Avantika:- main toh bas apne sawal ka jawab lene aayi hun

Main:- kaun sa sawal?

Avantika:- itni jaldi bhul gaye wahi sawal jo maine hamari pichli mulakat ke waqt pucha
tha tum mujhse pyar karte ho ki nahi?

Main:- tum?

Avantika:- main toh karti hun tumse pyar tum apna batao par maine kuch nahi kaha aur
uth kar jane laga

Avantika:- jab tak mujhe jawab nahi mil jata main bhi yahi rahungi Avantika ki baat sunkar
mere kadam ruk gaye

Main:- pyar me zabardasti nahi hoti AV

Avantika:- par intezar toh hota hai naa main wahi kar rahi hun jitna waqt lena hai le lo
yaha se bhi kahi aur jana chahte ho toh chale jao par jab bhi palat kar dekhoge apni AV ko
apne piche khada paaoge Avantika ke baat sun dard aur tadap ki ek aisi lahar doudi mere
dil aur dimag me ki main aur ruk naa paya aur cafe se bahar nikal gaya

Avantika:- manzile bhi uski thi raasta bhi uska tha ek main hi akeli thi kafila bhi uska tha

Planet: Monslickel Place: Palace hall hi hail father

hi hail devil lord par Asmodeus jo ki iss waqt apni rajgadhi me baitha aankhen band kiye
kuch soch raha tha usne Beelzebub aur Bhuvika ke gesture me kuch nahi kaha yaha tak ki
usne apni aakhen bhi nahi kholi Bhuvika aur khaas kar Beelzebub ye sab dekh kar bohat
shocked ho gaye aisa pehle kabhi nahi hua tha jo Asmodeus ek pakshi ke udne se pehle hi
bata deta ho ki wo pakshi ki udaan ki manzil kya hai aur uss udaan ke douran wo kitne
baar apni pankh fadfadaayega uska yun aise soch me gum hona ki unke gestures ka
jawaab dena toh door unki moujudgi ka ehsaas tak naa hona ye bohat badi baat thi
Beelzebub aur Bhuvika ne ek baar ek dusre ki taraf dekha fir Beelzebub darte darte
Asmodeus ke thoda aur kareeb gaya aur
Beelzebub:- father iss baar Asmodeus ne Beelzebub ki awaaz sunkar apni aakhen kholi

Asmodeus:- kya tumhe pata nahi hai ki tumhare ya kisi ke bhi yaha aane se pehle hi mujhe
pata rehta hai ki wo aa raha hai fir tumhe do baar mujhe pukarne ki zaroorat kyu padi?

Beelzebub:- maaf kijiyega father par jab hamare pukarne par bhi aapne apni aakhen nahi
kholi toh mujhe dusri baar aapko pukarna pada

Asmodeus:- maine apni aakhen nahi kholi kyu ki mujhe aisa karna zaroori nahi laga
Asmodeus ki awaaz me iss baat ko bolte waqt halki sakhti aa gayi thi jise sunkar Beelzebub
ki ridh ki haddi me sard leher si doud gayi ab usme itni himmat nahi bachi thi ki wo uss
bare me baat kar sake jis wajah se wo apne father ke saamne prakat hua tha par Bhuvika
ki baat alag thi usse toh apni baat Asmodeus ke saamne rakhni hi thi par usse pehle

Bhuvika:- hamari galtiyon ko maaf kijiye devil lord Asmodeus ne ek baar ghur kar Bhuvika
ko dekha

Asmodeus:- apne aane ka kaaran batao Bhuvika

Bhuvika:- aap se kya chupa hai devil lord? aapne jaisa kaha waisa ho gaya aapke khoon ke
asar se Vikram ka vyaktitv badal gaya aur iss wajah se uska ohda uski pehchaan usse alag
ho gayi ab wo Lord of Angels nahi raha uske pariwaar walon ne bhi usse khud se door kar
diya Anjali ke roop me uske dimag ke saath saath uske hriday ko bhi aaghat pahuch chuka
hai aur uska sabse ghanisht mitr bhi ab uska mitr nahi raha par in sab ka faayda kya hua?
jahan ek taraf aapke khoon ki wajah se usko nuksaan hua wahi ek faayda bhi hua hai usse
kisi ki fikr hi nahi rahi wo toh apni zindagi me mast hai aise me mera badla adhura hi reh
gaya naa

Asmodeus:- kya karna chahti ho tum?

Bhuvika:- main Vikram ko khatam karna chahti hun

Asmodeus:- hahaha Bhuvika ki baat sunkar Asmodeus zor zor se hasne laga wahi Bhuvika
aur Beelzebub ko Asmodeus ka hasne ka kaaran samjh nahi aaya aur jaise hi Asmodeus ki
hasi ruki

Beelzubub:- father kya Bhuvika ne kuch galat keh diya? Vikram ab wo nahi rahe jo kabhi
hua karte the ab toh hum unse lad sakte hain naa

Asmodeus:- bilkul lad sakte ho Asmodeus ki baat sunkar Bhuvika aur Beelzebub khush ho
gaye
Asmodeus:- murkhon khush hone se pehle meri puri baat toh sun lete maine kaha ki tum
dono Vikram se ladh sakte ho ye nahi kaha ki tum dono milkar bhi usse jeet sakte ho

Bhuvika/Beelzebub:- matlab

Asmodeus:- hmm kisi vriksh ki taakat kispar nirbhar karti hai?

Beelzebub:- uski jadon par

Asmodeus:- aur kya uski jaden dikhti hain?

Beelzebub:- nahi

Asmodeus:- par bina dekhe ek seekh zaroor de jati hain aur wo ye ki shatru se ladhne ke
liye thek ek vriksh ki tarah uski wo taakatein jo dikhti hain unke bare me janana zaroori
hota hai par shatru se jitne ke liye thek uss vriksh ki jadon ki tarah uski wo taakatein jo
nahi dikhti unke bare me jaanna zaroori hota hai Asmodeus ki baatien Bhuvika aur
Beelzebub ko sunayi toh de rahi thi par unhe samjh kuch nahi aa raha tha wo dono apne
aakhon me sawal liye Asmodeus ko dekh rahe the

Asmodeus:- jab mere kathan ka arth tak tum dono nahi samjh sake toh uss kathan ke
peeche chupe satya ko kaise samjh paaoge filhal ke liye itna samjh lo ki tum dono Vikram
se door raho issi me tum dono ki bhalayi hai Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub aur
Bhuvika udaas ho gaye par tabhi Bhuvika ke mann main ek naya khayal aaya

Bhuvika:- devil lord agar hum Vikram ko nahi maar sakte toh kamse kam hume uski
mohobbat uski premika Avantika ko maarne ki toh anumati dijiye Bhuvika ki baat sunkar
Asmodeus ke face par ek ajeeb expression aaya jise naa toh Bhuvika samjh payi aur naa
hi Beelzebub Asmodeus kuch der tak Bhuvika ko dekhta raha aur

Asmodeus:- thek hai par tabhi jab iske baad Asmodeus ne Bhuvika aur Beelzebub ko kuch
bataya jise sunkar Bhuvika aur Beelzebub ko kuch samjh toh nahi aaya par unhone
Asmodeus se kuch nahi kaha dono ne Asmodeus ke saamne sar jhukayea aur gayab hokar
ek dusri jagah pahunche

Planet: Earth Place: St Peters Principal’s office

what a pleasent surprise sir welcome plz have a seat subah ka waqt hai St Peter ke
Principal abhi just office pahunche hi the ki unke piche piche Delhi ke Minister aa
pahunche jo ki St Peter ke chief trustee bhi the jinhe dekhkar pehle toh Principal chonke
par fir normal ho ke unhe baithne ko kaha
Principal:- sir aap kya lenge?

Minister:- ye ladka isse yaha bulayiye abhi Minister ne apne mobile ke dislplay ko Principal
ki taraf kar apni baat kahi ye photo Vikram ki hi thi jo Vikram se bhidne aaye ladkon me
se ek ne khinch li thi aur jab Minister ne Vikram ke huliye ke bare me un sab se pucha toh
jis bande ne Vikram ki pic click thi usse usne Minister ko dikhaya usne unhe ye bhi bataya
ki ye photo jiski hai wo abhi college me naya naya aaya hai wahi Principal chonke par unke
chonkne ki wajah Minister ke mobile me dikh rahi photo nahi balki Minister ka rawaiya
tha wo iss waqt ghusse me lag rahe the

Principal:- sir iss every thing ok? aap ghusse me lag rahe hain

Minister:- isse bulayiye sab pata chal jayega aur haan isne abhi abhi admission liya hai toh
isse new admissions ki list me check kijiye Principal ne apne ek staff member ko bulaya
aur mera info nikalne ke liye kaha kuch hi der me wo staff member Vikram ke details lekar
louta jise Principal dekhkar chonk gaye par unhone Minister se kuch nahi kaha Vikram ke
details me uska number bhi tha jise Principal ne dial kar diya

Place: karol Bagh Delhi

hmm toh ye hai karol Bagh thek hi hai chal beta kaam par lag jaa ye bol main ek kapde ki
shop ki taraf chal pada kal se mera college shuru hone wala tha issliye aaj maine kuch
shopping karne ki sochi ab mere wallet me zyada paise toh the nahi isilye karol bagh aa
gaya suna hai yaha saste me ache kapde milte hain

Main:- sun bhai kuch skin tight tshirts dikha maine uss shop ke sales man se kaha sales
man ne ek ke baad ek kayi saari tshirts mere saamne rakhna shuru kiya

Main:- bas bhai kapde ka paahad banayega kya? waise kya range hai inki?

Sales man:- bohat sasti hai sir plain wali 250 aur printed wali 500 ki hai

Main:- acha ek baat bata agar main ye plain wali t shirts le lun aur fir inpar print karke
tujhe wapas 400 me dun toh lega?

Sales man:- kya sir aap bhi

Main:- main bhi kya? main mazak thodi na kar raha hun dekh 500 me toh tu unhe bhi
bechega naa toh kama liya ne tere seth ne 100 rupees per tshirt

Sales man:- sir aisa nahi hota hai


Main:- haan bhai 200 se 250 rupees par tshirt commision milta hai tumhe toh 100 me
kaise posayega kyu? meri baat sunkar sales mann hadbada gaya uske hadbadane par main
bhi hasta hua t shirts select karne laga

Main:- ye do plain wali aur ye teen printed wali pack kar de par sun sab milakar 1600 hi
dunga

Sales man:- sir sabhi ka milakr total 2000 ho raha hai 400 rupees kaise kam kar sakta hun?
aap ek kaam kijiye 1900 de dijiye

Main:- arre waah pure 100 rupees discount itne me toh mera pura mahina chal jayega
kyu? tu ek kaam kar rehne de yaha par shops ki kami thodi naa hai kahi aur se le lunga ye
bolkar main palta hi tha ki

Sales man:- sir sir sir ek kaam kijiye 1700 de dejiye

Main:- 1600 se ek rupaiya zyada nahi dunga dena hai toh de warna main chala

Sales man:- thek hai sir 1600 hi de djijiye

Main:- (mann main) saala hum duniya ko banate hain aur ye hume banane nikla tha ban
gayi teri duniya saale malls me jaakar levis aur spiker ke kapdon par aise mol bhaav kar ke
dekh thenga bhi naa milega tere ko par waha jaakar jo rate me mile kapde uthakar le
aaoge par chhoti chhoti dukano me jaakar tumhara ganit bahar aa jata hai kyu? saale mall
ke show room wale bande tumhare paison se bunglows banate hain par ye bechare bas
apna ghar chalate hain lekin tumhe kya rahis aur rahis ho toh hon par gareeb gareeb hi
rehna chahiye haina ye saali wahi manhoos tikhi aur kadwi awaaz thi jo mere har kaam
ke baad apna mouh faadti thi par ab kya bolun sach toh kadwa hi hota hai naa maine chup
chaap payment ki aur shopping bag pakad bahar nikal aaya ki tabhi bhaag bhaag aaya sher
aaya sher aaya mere sher ki ringtone I mean mere mobile ki ringtone baj uthi display par
jo number flash ho raha tha wo unknown tha khair maine call pick ki

Main:- hello Vicky this side

Awaaz:- Mr Vikram Jairaj Singh this is Principal calling of St Peters can you come to the
college and meet me right now?

Main:- sure sir on my way

Principal:- good ye kehkar Principal ne phone kaat diya


Main:- ab isse mujhse kya kaam pad gaya? par jana toh padega hi chal beta chala jaye
wahi mere baaju me ek stall laga tha jiske piche ki jagah khaali thi main wahi peeche ki
taraf chala gaya aur agle hi pal main gayab ho chuka tha

Place: St Stephens college canteen hey Shaifali hey Ronit

Ronit/Shaifali:- hey Shanaya

Shaifali:- hey Avantika Shanaya ko toh dono ne greet kiya tha par Avantika ko greet karne
wali awaaz sirf Shaifali ki thi Shanaya ne toh nahi par Avantika ne iss baat ko note kiya tha
par wo aisa hi kuch expect kar rahi thi subah ka waqt hai St Stephens me bhi first year ke
students ke admissions aur seniors ke re admission process shuru ho gaye hain aur Ronit
aur Shaifali issliye hi yaha aaye hue hain par Avantika ka yaha ke aane ka reason kuch aur
hai wo yaha apna trasfer certificate collect karne aayi hai wo bhi ab Delhi me Vikram ke
saath hi padhne ka mann bana chuki hai Avantika ne waha admission ke liye apply bhi kar
diya hai par abhi tak uska tc yaha se nikla nahi tha par aaj usse wo milne wala tha

Avantika:- main Princi se milkar aati hun Avantika jane ko hui par Shanaya ne uska haath
pakad liya

Shanaya:- yaar thoda ruk naa fir chali jana kaun sa thodi der me tera t c ruk jayega ya St
Peters me admission cancel ho jayega Avantika tc le rahi hai ye sunkar Ronit chonka aur
St Peter ye naam bhi uske liye naya tha

Ronit:- St Peter koi naya college khula hai kya?

Shanaya:- naya kahan? St Peter toh bohat purana college hai

Ronit:- strange pehle kabhi naam tak nahi suna

Shanaya:- kaha se sunega ye college Mumbai ka thodi naa hai Delhi ka hai Shanaya ki baat
sunkar Ronit solid chonka usne Avantika ki taraf dekha jo uski hi taraf dekh rahi thi Ronit
ko andaza ho gaya tha ki Avantika Delhi jaa rahi toh Vj bhi definately wahi hoga wo iss
bare me Avantika se baat karna chahta tha par filhal wo chup hi raha Vj ke ghar chhod
dene ke baad sabse ajeeb mind set Ronit ka hi hua tha kabhi kabhi wo Vj ke bare me
sochkar ghussa ho jata tha toh kabhi kabhi apne dost aur apni dosti ko yaad karke
emotional aur apne ghar walon ki haalat dekhkar usse khud par bhi ghussa aata tha wo
sochta tha ki agar uss din usne Vj ka naam nahi liya hota toh sab kuch normal hi rehta par
jo ho chuka tha ho chuka beeta waqt naa kabhi badla hai aur naa kabhi badlega
Shanaya:- yaar ye Vj kaha gaayab ho gaya hai abhi tak wapas nahi aaya aur usne exams
bhi nahi diye Shanaya ki awaaz sunkar Ronit apne khayalon se bahar aaya Shanaya ko
Ronit ne Vikram ke bare me ye bataya tha ki Vikram apne kisi relative ke paas US gaya hai
aur kuch mahine wahi rahega Shanaya ne socha ki Anjali ki mout ki wajah se Vikram ne
aisa faisla liya ho Shanaya ki baat ka Ronit kuch jawab deta usse pehle

Avantika:- kisne kaha ki Vj ne papers nahi diye usne sab papers diye hain aur wo bhi
college aakar Avantika ki baat sunkar Ronit solid chonka par agar wo Avantika se abhi kuch
puchta toh Shanaya ko shock lagta ki Ronit ko Vikram ke bare me kaise kuch nahi pata
issliye wo chup raha

Shanaya:- what Vj paper dene aaya aur humse mila tak nahi Avantika ne Shanaya ke sawal
par kuch nahi kaha wo chup rahi par tabhi uski nazar Shaifali par gayi jiski aankhon me iss
waqt bechaini saaf dikh rahi thi darsal wo soch rahi thi wo un sabko bataye ki nahi ki wo
Vikram se mil chuki hai aur issi soch ne usse bechain kar rakha tha

Avantika:- kya hua babes tu kuch tensed lag rahi hai jaise hi Avantika ne Shaifali se sawal
kiya Shaifali ne Avantika ki taraf dekha aur ussi waqt Avantika ka haath Shaifali ke haath
ke upar aaya aur tabhi Avantika ke mann main 440 volt ka jhatka laga par upar se wo
khudko normal hi banaye hue thi

Shaifali:- kuch nahi yaar wo thoda head ache the Shaifali ne toh apna jawab de diya par
ab Avantika ko waha ek pal bhi rukna mushkil lag raha tha issliye

Avantika:- yaar main Princi ke office se aati hun ye bol Avantika uth kar chali gayi wahi
Avantika ke nikalne ke kuch seconds baad

Ronit:- main zara washroom se aaya ye bol Ronit turant utha aur Avantika ke peeche ho
liya Avantika dheere dheere chal rahi thi actually wo kuch soche jaa rahi thi ki tabhi

Ronit:- Avni awaaz sunkar Avantika apne khayalon se bahar aayi aur jab usne palat kar
dekkha toh apne saamen Ronit ko khada paya

Avantika:- kya hua? Avantika ne sidhe sapat language me Ronit se pucha?

Ronit:- Vj kaha hai? kya wo Delhi me hi hai

Avantika:- tum kyu puch rahe ho? Vj kahi bhi rahe jiya ya mare tumhe usse kya? Avantika
ki baat sunkar Ronit ko ghussa aa gaya wo kuch kehne ke liye apna mouh khol hi raha tha
ki
Avantika:- kuch bhi bolne se pehle uske natije ke bare me soch lena chahiye Mr Ronit aur
apni akad apne paas hi rakho toh behter hoga uss din tumhari baatein maine sirf issliye
suni kyu ki main nahi chahti thi ki mere bolne par aur problems create ho par wo toh waise
bhi create ho gayi aur reason tumhari bewakufi hosh me aane ke baad jab tum Vj ke ghar
ke liye nikle the toh raaste me kya tumne ek baar bhi ye socha ki tum achanak hosh me
aaye kaise? nahi tum kyu sochoge tumhe toh tumhare har sawal ke jawab ki ummid Vj se
rehti hai naa 1.5 saal 1.5 saal ke baad tum Vj ko dekh rahe the par tumhe iss baat ki khushi
nahi thi ki Vj tumhare paas wapas aa gaya hai iss baat ka dukh tha ki Anjali nahi rahi aur
uska dosh bhi tumne Vj ke upar daal diya tumne toh ye jaanne tak ki koshish nahi ki 1.5
saal tak wo kaha tha uski jagah uska behroopiya kaise yaha rehne laga tha? Vj ke mouh se
apne liye gaali sunkar tum chonke the naa par kya tumne ye socha ki aisa kyu hua? kyu Vj
itna badla badla sound kar raha hai tumhari gf hone se pehle Anjali Vj ki best friend thi
kya tum ye baat bhul gaye the ki Vj ne hi tum dono ko milaya tha tum kyu yaad rakhoge
pyar dosti par bhaari jo padh gaya tha

Ronit:- Vj ne bhi toh mujhpar tumhari wajah se haath uthaya tha? Ronit ki baat sunkar
Avantika ke chehre par ek fiki si muskaan aa gayi

Avantika:- kya kaha Vj ne tumpar haath uthaya tha agar Vj sach me tumpar haath uthata
toh kya tum zinda rehte uss condition me jis condition se Vj guzar raha hai usme usne
tumhe zinda chhod diya yahi batata hai ki tum uske liye kya ho ya fir ye kahu ki kya the
aur rahi baat mere liye tumpar haath uthane ki toh baat meri ya tumhari nahi sahi aur
galat ki hai itne saalon me tum itna toh Vj ko samjhte hi hoge naa ki wo har faisla rishton
ke aadhar par nahi balki sahi aur galat ke aadhar par leta hai agar uske mom ya dad bhi
kuch galat kahe ya kare toh wo unka tak saath na de toh fir tumhari haisiyat hi kya hai?
haan Vj pyar karta hai mujhse par uski haalat ki wajah se wo mujhse bhi door bhaagta hai
par usse koi fark nahi padta kyu ki main bhi beintaha pyar karti hun usse junoon ki aakhri
hadh tak chahti hun usse itna pyar ki agar khuda bhi aakar mujhe uske khilaf kuch kahe
toh main khuda ko chhod dungi par Vj ko nahi aur rishte aise hi vishwas ki neev par tikte
hai Ronit wo vishwas jo tumhare dil me kabhi theek se panap hi nahi saka aur jante ho
kyu kyu ki tum swaarthi ho sirf apne bare me sochte ho tumhe apna gum toh dikha par Vj
ka dard nahi itne dino se jo dard ka gubbar Avantika ke andar panap raha tha aansuon aur
kade lafzon ka roop lekar wo nikal chuka tha ab Avantika ka Princi ke office me jane ka
mood nahi tha aankhon me aansuon ka samandar liye Avantika college se bahar nikal gayi
wahi Ronit ke dimag ne tsunami ka roop le liya tha Avantika ki ek ek baat uske andar teer
ki tarah ab tak chubh rahi thi usse har wo chiz yaad aa rahi thi jo ab tak hui thi aur Avantika
ki Vj ki haalat wali baat usse pach nahi rahi thi usse ye toh pata nahi chala ki Vj ko hua kya
hai par wo itna zaroor samjh chuka tha ki jo bhi hua hai wo koi choti baat toh ho nahi sakti
aaj usse apne dost ki bohat yaad aa rahi thi wo uske pairon me girkar maafi maangna
chahta tha uske gale lag rona chahta tha aaj Ronit ko waisa hi laachari feel ho raha tha
jaisa Anjali ko nahi bacha paane ke waqt usne mehsoos kiya tha aisi hi kayi baatein uske
dimag me aa jaa rahe the par achanak ek thought uske mann main ubhra jiske ubharte hi
uske dard se bhare chehre par khushi ki ek jhalak dikhne lagi aur wo thought tha

Ronit:- tu mere saath nahi hai mere dost par aaj Avantika ke chehre par mujhe teri jhalak
dikhi aur uski baaton me wahi cheez jhalak raha tha jo teri baaton me hamesha jhalakta
hai attitude

Place: St Peter Princi office

kya naam liya aapne abhi phone par?

Principal:- Vikram Jairaj Singh Vikram se baat karte waqt jab Princi ne uska pura naam liya
toh Minister shocked ho gaya

Minister:- kahi ye wahi Jairaj Singh ka beta to nahi jo

Principal:- yes sir ye wahi hai ye dekhiye Minister ki baat aadhi me hi kaatkar Princi ne
mere documents uske saamne kar diye kuch der pehle Princi sir jis wajah se chonke the
ussi wajah se Minister bhi chonk gaya aur wo wajah ye thi ki mere documents me mere
photo ke baaju me mere dad ki photo attested thi par Princi aur minister ke chonkne me
fark tha jahan Princi meri asliyat jaankar khush tha wahi Minister ki fat chuki thi wo mere
dad aur unki power ko achi tarah janta tha usse pata tha ki agar dad chahe toh uski
position ek din me chhin sakti hai jis ghusse ke saath wo aaya tha wo ghussa hawa ho
chuka tha wo kuch kehne hi wala tha ke tabhi

may I come in sir ye awaaz meri thi jise sunkar Minister aur Princi ki nazar meri taraf gayi

Principal:- come son bohat jaldi aa gaye aap?

Main:- main yahi paas me hi tha

Principal:- inse milo ye yaha ke Central Minsiter hain yahi tumse milna chahte the

Main:- (mann main) iski maa ka gay toh nahi hai ye chu**** jo mujhse milna chahta hai
saale ne koi bakwaas ki toh yahi pel dunga Princi ne toh apni baat keh di par ab Minister
ko samjh nahi aa raha tha ki wo baat ko kaise ghumaye par tabhi usse mere documents
me likhe mere marks ke bare me khayal aaya

Minister:- hum toh bus national topper se milna chahte the hume garv hai beta aap pe
aur hume bharosa hai ki ek din aap hamare desh ka naam pure vishw me roshna karoge
Minister ki baat sun Princi mann hi mann hasne laga wo samjh gaya tha ki Minister ne kyu
apni chaal aur sur badli hai

Main:- (mann main) abbe main koi vote bank hun jo dialouge chipakaye jaa raha hai

Main:- main niklun naa thanks naa koi aur gesture meri sidhi sapat baat sunkar Princi aur
Minister dono shocked ho gaye par wo kar bhi kya sakte the

Minister:- thek hai beta kabhi ghar aana ab mera dimag iski mithi mithi baaton se ghumne
laga tha maine kuch nahi kaha bas chupa chaap nikal gaya mere jaate hi Minister ne apna
phone nikala aur ek number dial karne laga

Place: Menakshi Mansion

every thing iss fine abhi toh ghabraane ki koi zaroorat nahi hai par iss baat ka dhayan
rakhiye ki ye khaana thek time se khaayen aur most importantly khush rahen yahi inka
ilaaj hai ye bol Jairaj ke family Dr chale gaye iss waqt teeno pariwar Minu ke bedroom me
moujud hai sabhi ke aankhen halki halki num hain par in sab me do aankhen aisi bhi hain
jinme sirf gum nahi bebasi bhi hai aur wo aankhen hai Jairaj ki aur ho bhi kyu naa unke
saamne bed par unki patni leti ya fir ye kahu padi hui hai Minu ke haathon me drip chadhi
hui thi jab se Vikram ghar chhod kar gaya hai tabhi se Minu ne khaana pina chhod diya hai
khushi toh jaise uski zindagi se chali hi gayi hai ghar me baat cheet bhi naa ke barabar hi
hoti hai yaha tak ki Jairaj aur Minu bhi ek dusre se bohat kam bolte hain dukh sirf in dono
ka hi sabse zyada nahi tha inse bhi bada sadma laga tha Neha ko apni beti ki mout ke baad
se hi wo puri chup ho gayi thi uss waqt Minu apni puri shiddat se Neha ko uss asahaniya
dard se nikalne ki koshish me lagi hui thi aur aisa hi kuch Jairaj Akash ke liye kar rahe the
par jabse Minu ki tabiyat bigdi hai Neha aur Akash ne apne gum ko side me rakh Minu aur
Jairaj ke gum ko kam karne ki koshish ki par kaamiyab nahi huin abhi abhi Dr ne jo kaha
wo sabne suna aur sabne apni apni pratikriya bhi di siwaaye Jairaj ke unki aankhon me ek
shikayat si thi wo chup chaap bas khade rahe

Harpreet:- yaar Jairaj tu bhi toh kuch bol hamari baat toh bhabhi sirf sunegi par maanegi
nahi
Jairaj:- sabko apne faisle khud lene ka hak hai Harpreet jiske gum me inka ye haal hai usse
ghar se jane ke liye bhi toh inhone hi bola tha Jairaj ki baat sunkar Minu ke aankhon se
aansu nikal aaye uske paas bolne ki shakti zyada nahi bachi thi par phir bhi uske lab hile

Minu:- usne bhi toh par Minu kuch aage bol nahi payi kyu ki Jairaj ne apna haath saamne
kar usse bolne se rok diya tha

Jairaj:- kya se zaroori sawal kyu hota hai? kya tumne janane ki koshish ki ki usne aisa kyu
kiya? nahi kyu usne apne uss dost par haath uthaya jiske liye wo haste haste apni jaan tak
de sakta tha ek second ek second me tumhare mouh se nikal gaya ki chala jaa chala toh
gaya ho toh gayi tumhari khwahish puri apni shikayat ki bhadas bahar karte karte Jairaj ki
aakhen bhi jawab de gayi wahi waha moujud sabhi ki aakhen bhi bhig chuki thi Jairaj room
se bahar jane ke liye nikle hi the ki unka mobile ring hua ye call aur kisika nahi ussi Minister
ka tha jo kuch der pehle Vikram se mila tha

Jairaj:- hello ji batayiye kaise yaad kiya?

Minister:- Jairaj ji hum aapse bohat naraz hain aapne bataya bhi nahi ki aapka beta yaha
Delhi me hai aur hamare hi college me padhne aa raha hai minister ki baat sunkar Jairaj
ko shock laga par ye shock uss shock ki tarah tha jo Drs ruke hue heart beat ko wapas
dhadkane ke liye dete hain Vikram ke ghar chhodkar jane ke baad se hi Jairaj apne bete
ko track karne ki koshish kar rahe the par wo naa kamiyab rahe the unka beta kaisa hoga
kis haal me hoga ye khayal Jairaj ko andar hi andar tadpaye jaa raha tha par aaj Minister
ke through apne bete ki location jaankar unke dil ko sukoon sa aa gaya tha wahi mobile
ke dusri taraf khada Minister hello hello repeat kiye jaa raha tha kuch der tak apne andar
aaye khushi ke toofan ko mehsoos karne ke baad Jairaj ko Minister ki awaaz sunayi di

Jairaj:- haan hello haan wo actually network problem hai main Delhi aa raha hun wahi aa
kar aapse milta hun Jairaj se ye sun ki wo khud Delhi aa raha hai Minister bohat khush ho
gaya wahi Minu aur kamre me moujud baaki ke logon ne Jairaj ke chehre par aayi achanak
khushi ko notice kiya tha Vikram ke jane ke baad un sab ne pehle baar Jairaj ke chehre par
ye khushi dekhi thi aur iski wajah jaanna chahte the thodi formal baatein kar Jairaj ne call
cut kiya aur jab apni puri family ki taraf dekha toh un sab ko khud ko ghurta paya

Jairaj:- hamara beta Delhi me hai sidha saada simple sa jawab par jise sunte hi sabhi ek
chere khil uthe yaha tak ke Ronit ki mom Savita ki bhi bhale jo bhi hua ho unke liye Vikram
Ronit se kam nahi tha wo bhi uske chale jane se bohat dukhi thi par aaj un sab ke dukhon
ke saagar ko jaise kinara mil gaya tha wahi Minu toh jaise kuch bolne ki haalat me hi nahi
thi aansu toh uske pehle bhi nikal rahe the par ab jo aansu uski aankhon me tair rahe the
unme aisi taakat thi jisne uske sharir ki saari kamzori ko jaise khatam sa kar diya tha
aankhon me aansu par chehre par muskaan liye wo apne pati ki taraf dekh rahi thi aur
Jairaj bhi aaj Vikram ke jane ke baad pehli baar apni patni ko pyaar bhari nazro se dekh
rahe the

Minu:- mujhe mere bete ke paas le chaliye

Nana ji:- par beta abhi tum bohat kamzor ho tum rest karo Jairaj le aayega hamare bete
ko par agle hi pal jo hua usse dekh kar sabhi shocked ho gaye Minu jo kamzori ki wajah se
theek se baith bhi nahi paa rahi thi wo apne pairon par khadi ho chuki thi

Minu:- main theek hun aur mera ilaaj naa hi rest hai naa hi medicine mera ilaaj mera beta
hai usse dekhungi toh saari kamzori khatam ho jayegi Minu ki awaaz me ek taakat si aa
gayi thi ye ek maa ki taakat thi aisi taakat jiske aage khuda bhi natmastak hota hai

Jairaj:- chalo apne bete ko ghar le aayen

Place: Heaven

itni shaktiyan fir bhi kaisi laachari hai jo hum kuch kar bhi nahi paa rahe hain St Sebastian
ne apni udaasi bol kar bayan ki wahi St Alfrick aur St Cecilia ne khamosh rehkar par St
Sebastian ke lab phir hile

St Sebastian:- Asmodeus ne har galat kaarya ko itne sahi dhang se kiya hai ki uske asafal
hone ka kaaran hi nahi banta dono bhayion ki shaktiyan barabar hain par istemaal karne
ka dhang ek dusre se kitna alag asafalta aur safalta ka nirnay khel ke beech me nahi kiya
jata putra aur abhi ye khel khatam nahi hua ek tez prakash jo pure heaven me fail chuka
tha aur uss prakash me ek aisi urja thi jiske saamne pure bramhaand me jitne bhi surya
hain unki sammilit urja bhi fiki lage aur lage bhi kyu naaye urja God ki jo thi jinki urja aur
awaaz ko Vikram ke paida hone ke baad aaj pehli baar God's messengers dekh aur sun
rahe the uss prakash ke failte aur awaaz ke gunjte hi teeno Saints apne ghutno par baith
chuke the

God:- ek band ghadi bhi din me do baar sahi waqt dikhati hai aur waqt se ek sikh milti hai
aur wo ye ki waqt har kis ko barabar hi mila hai par phir bhi har vyakti ka sahi waqt dusre
se alag hota hai tumhara daayitv hai Vikram ki anupastithi me saare angels ka maarg
darshan karna tum bas ussi par apna dhayan kendrit karo jo ho raha hai aur jo hone wala
hai uski chinta tabhi honi chahiye jab usme badlao laya jaa sake par tum teeno isme
samarth nahi ho toh fir sochkar kya laabh aur waise bhi ye ladhayi dono bhaiyon ke
shaktiyon ki nahi balki dono ki soch aur sach ki hai ek (Vikram) sach ko apni soch banakar
chalta hai toh wahi dusra (Asmodeus) apni soch ko sach banakar chalta hai jiska sach aur
soch milkar ek ho jayenge wo jeet jayega

Planet: Earth Place: Menakshi Mansion

aunty bhook lag rahi hai

hello kya hua? bhoot dekh liya kya Minister se baat khatam hone aur fir apne bete se
milne ke excitement se bahar aane ke baad jaise hi Minu aur Jairaj ke saath teeno family
bahar hall me jane ke liye hue thek ussi waqt Ronit kamre me enter hua aur apni baat kahi
Ronit ke hosh me aane aur fir uske aur Vikram ke beech jo hua uske baad se Ronit ne kisi
se bhi dhang se baat nahi ki thi wo gumsum aur khaamosh sa ho gaya tha sabhi usse cheer
up karne ki koshish me lage rehte the par uske behaviour me koi badlao nahi aaya tha
Minu ko pata tha ki uski banayi dishes Ronit ko hamesha se hi bohat pasand thi issliye wo
uske liye kuch na kuch banati rehti thi par Ronit ne usse bhi khaana band kar diya tha par
aaj itne time ke baad Ronit ne saamne se Minu ko khaane ke liye kaha ye sun aur dekhkar
teeno families shocked se chup ho gaye the par jaldi hi sab apne apne shock se bahar aa
gaye aur aisa hote hi shock ki jagah khushi ne ya fir ye kahu ki double khushi ne le li ek
khushi toh unhe pehle hi Vikram ki location ke bare me jaankar ho chuki thi aur dusri Ronit
ko back to normal dekhkar ho rahi thi sab bohat khush the par phir achanak sabke mann
main ek thought aaya jiske aate hi sab thode nervous ho gaye sab ye sochkar nervous feel
karne lage ki jab Ronit ko Vikram ke bare me pata chalega toh wo kaise react karega? last
time jab wo dono aamne saamne the tab jo hua ya fir ye kahu ki jo sabne assume kiya
usse yaad kar unke zehen me aisa thought aana normal tha ye toh the puri family
members ke though tab jante hain ki unke saamne khade Ronit ke dimag me kya chal raha
hai

Menakshi Mansion aane se pehle Ronit ne raaste me hi ye tay kar liya tha ki ab wo normal
rahega jo hua usse naa toh wo badal sakta hai aur naahi uske bare me kuch kar sakta hai
toh kamse kam normal hokar wo apni family ko kuch khushi do de hi sakta hai Ronit ne
ye bhi soch liya tha ki kaise bhi karke wo Vikram ke paas jayega aur usse maafi maang kar
ghar wapas le aayega Avantika ki baaton se aur khaas kar ye jaankar ki Avantika Delhi
padhne jaa rahi hai Ronit ko ye confirm sa lagne laga tha ki ho naa ho Vj bhi Delhi me hi
hai wo janta tha ki puri family ko iss waqt Vikram ki kitni zaroorat hai par ab jab Ronit
Vikram ke mom dad aur apne baaki family members ko dekh raha tha toh sabke chehre
par aate kayi saare alag alag expressions ko dekhkar usse doubt hua ab Ronit jitna bhi
impulsive kyu naa ho usse train toh Vj ne hi kiya tha aur issi wajah se hi usne aur Anjali ne
Vj aur Avantika ka roop liye hue Bhuvika aur Beelzebub jaise behad shaktishali devils ko
bhi taad liya tha toh fir normal human beings ko read karna toh Ronit ke liye mamuli baat
thi Ronit situation ko figure out kar hi raha tha ki

Minu:- aaj kitne dino ke baad mere bache ne kuch khaane ki zidh ki hai chal tu mere saath
aaj tere liye teri saari favouite dishes me banaungi aur tujhe khaana padega Minu ne Ronit
ke gaal ko sehlate hue apni baat kahi aur usse kandhe se pakadkar aage badhne ko hui
par Ronit aage nahi badha aur

Ronit:- pehle ye bataiye ki yaha chal kya raha tha? aap itne dino ke baad apne pairon me
khadi hain fresh lag rahi hain baaki sab bhi kafi excited dikh rahe hain

Minu:- tu bhi kya kya sochne lag jata hai aaj kitne dino ke baad tu wapas pehle jaisa lag
raha hai aaj teri awaaz sunkar aisa laga jaise hamara beta hume wapas mil gaya hai jahan
Minu ki baat ko teeno families ne support kiya wahi Ronit ko pata tha ki sab jhoot bol rahe
the aur jab Minu ne apni aakhri baat kahi toh achanak Ronit ke dimag ki batti jali

Ronit:- (mann main) hamara beta hume wapas mil gaya hai ye meri baat kar rahe hain ya
Vikram iss naam ke dimag me gunjte hi Ronit ko apne saare question ke answer mil gaye
itne dino ke baad yun achanak Minu aunty ka fresh lagna saare gharwalon ki aankhon me
bhi khushi jhalakna ye toh sirf tabhi ho sakta hai jab sabko Vikram ke bare me kuch pata
chala ho theory ka logic clear hote hi Ronit ko apne yaar ki aur yaad aane lagi usse wo
saari baatein bhi yaad aane lagi jo Vikram usse training dete waqt bataya karta tha usse
yaad tha ki Vikram ne ek baar usse kaha tha ki kabhi kabhi jhoot ke piche hi sach chuppa
hua hota hai bas dekhne ki nazar chahiye aur abhi bhi wahi hua Minu aunty ne jhoot kaha
par uss jhoot me unka sach bhi kahi na kahi shaamil tha jise Ronit ne samjh liya aur

Ronit:- Vj aap sabko Vj ke bare me kuch pata chala hai naa Ronit ki baat sunkar sabhi
hadbada gaye par isse pehle ki koi aur ya Minu kuch kehti

Ronit:- aunty aapko meri kasam yahi baat hai naa apni kasam dekar Ronit ne Minu ko sach
batane me majboor kar diya tha

Minu:- haan beta Vicky ke bare me hume pata chala hai aur main aur tere uncle usse lene
hi jaa rahe the Minu ki baat sunkar Ronit ki khushi ka thekana na raha par saath hi wo
naraz bhi tha

Ronit:- toh aap sab mujhse itni badi baat chuppa kyu rahe the?
Minu:- beta wo last time jo tere aur Vicky ke beech hua toh Minu apni baat puri karti usse
pehle hi

Ronit:- bhai hai wo mera Ronit ne ye baat thodi loud boli thi par uski baat sunkar jahan
sab thode shocked ke saath saath bohat khush bhi the

Ronit:- aap aisa soch bhi kaise sakti hain aunty maana ki maine aapki kokh se janam nahi
liya haiVj ka sibling nahi hun main par naa aap kahi se bhi meri mom se kam hain aur Vj
wo toh mere sage bhai se bhi badhkar hai uske liye toh main haste haste jaan de bhi sakta
hun aur le bhi sakta hun hum dono ke beech jhagde hon ya fir kuch bhi hoisse hamara
rishta toh nahi badal jayega naa mom kya aap Vj se naraz hain? Ronit ne apni mom se ye
baat puchi

R/Mom:- main kyu naraz rahungi jaise wo tera bhai hai waise hi mera bhi beta hai aur
apne bete se bhi bhala koi maa naraz hoti hai kya?

Ronit:- exactly auntyu hurt me ye bolte waqt Ronit ke aankhon me paani aa gaya jise dekh
Minu ne jhat se Ronit ko gale se laga liya

Minu:- sorry beta really sorry main bhul gayi thi ki tum dono alag alag hokar bhi ek ho
Ronit Minu se alag hua aur

Ronit:- its ok aunty par ab jab mujhe asal baat ka pata chal chuka hai toh meri bhook bhi
badh chuki hai Ronit ki baat sunkar sabhi hans diye

Minu:- tu baith main kuch bana kar laati hunn Minu aage badhne ko hui par Ronit ne unhe
firse rok diya

Ronit:- mujhe khaane ki bhook nahi hai aunty apne bhai se milne ki usse ghar waapas lane
ki bhook hai Ronit ki baat sunkar Minu ne pyar se uske gaal ko sehlaya hi tha ki

Ronit:- aap Vj ko lane Delhi jaa rahe hain naa? Ronit ki iss baat ko sunkar sabhi bohat
zyada shocked ho gaye

Jairaj:- tujhe kaise pata ki Vicky Delhi me hai?

Minu:- aur beta agar tujhe pehle se pata tha toh hume bataya kyu nahi?

Ronit:- aunty mujhe aaj hi pata chala hai ki Vj Delhi me hai

Jairaj:- par tujhe kisne bataya?


Ronit:- bas pata chal gaya Ronit ne ye nahi bataya ki Avni ke through usse Vj ki location
mili hai warna sab Avni se naraz hote ki usne unhe pehle kyu nahi bataya ye sab chhodiye
ye batayiye ki Delhi ke liye kab nikalna hai?

Jairaj:- kab kya? abhi nikalte hain par beta main soch raha hun ki kahi tumhe dekhkar
Vicky Jairaj ki baat khatam hone se pehle hi

Ronit:- firse naraz naa ho jaye yahi naa Ronit ne Jairaj ki baat puri ki Jairaj ne kuch nahi
kaha bas Ronit ki taraf dekhne lage

Ronit:- hone do naraz main mana lunga par main jaunga matlab jaaunga chaahiye toh aap
dono ruk jaao main usse lekar aata hun Jairaj ne apni biwi ki taraf dekha Minu ne bhi apni
palken haan me hila di

Jairaj:- thek hai fir hum teeno chalte hain

Baaki Sab:- aur hum

Jairaj:- sabka jana thek nahi hai hum teeno hi jaate hain aur usse lekar aate hain par sabhi
aane ki zidh karne lage Jairaj ne sabhi ko badi mushkil se manaya par jab sab bade baat
kar rahe the tab Ronit ke dimag me kuch aaya aur wo bahar aa gaya usne apna mobile
nikala aur ek number dial kiya ring hui aur jab kuch der baad call recieve hua toh

Ronit:- hello Avni

Avantika:- hmm bolo Avantika ne sidhe sapat tarike se pucha

Ronit:- sorry Avni maine jaisa tumhare aur Vj ke saath behave kiya mujhe nahi karna
chahiye tha I’am really sorry apni baat bolte waqt Ronit ka gala bhar gaya tha jise Avantika
ne saaf mehsoos kiya tha

Avantika:- its ok Avantika ne iss baar softly kaha

Ronit:- tumhari ek help chahiye?

Avantika:- Vj Delhi me hi hai kya yahi puchna chahte ho naa haan wo wahi hai

Ronit:- ye mujhe pata hai Avni darasal maiN Minu aunty aur Jairaj uncle Delhi jaa rahe
hain hume ye toh pata hai ki Vj Delhi me hai par itni badi Delhi me usse hum dhundenge
kahan? tumse yahi jaanna tha ki kya tum bata sakti ho ki Vj kaha mil sakta hai? Ronit ki
baat sunkar Avantika ke chehre par smile aa gayi fir Avantika ne Ronit ko ek address diya
jise sunane ke baad
Ronit:- par waha wo kya karta hai?

Avantika:- jao jab dekhoge toh pata chal jayega aur haan thank you Avantika ke mouh se
thank you sunkar Ronit ko ajeeb laga

Ronit:- help toh tumne meri ki hai thanks toh mujhe bolna chahiye tum kyu bol rahi ho?

Avantika:- agar waapsi me Vj bhi tumhare saath aaya toh bataungi all the best Ronit ne
ajeeb sa face banate hue phone hang up kiya

Ronit:- Vj ki sangat me ye bhi ussi ki tarah ho gayi hai ek paheli Ronit jab hall me aaya tab
tak matter solve ho chuka tha gharwale nahi jane ke liye tayar ho gaye the par sabne Minu
aur Jairaj se promise liya ki kaise bhi karke wo Vikram ko ghar wapas lekar hi aayen sabse
promise karke Ronit Minu aur Jairaj airport ki taraf nikal pade

Wahi dusri taraf

Avantika:- plz God jaisa main soch rahi hun kaash waisa hi ho Present yet flash back:

Planet: Gluto Place: Palace Hall

aaj aakhir mulakat ho hi gayi hamari

Shaila jo ki apne raj singhasan me baithi hui thi wo achanak gunje iss tez awaaz se chonk
uthi Shaila ne apne saamne dekha jahan iss waqt ek kaali akriti hawa me tair si rahi thi

Shaila:- kaun ho tum saamne aao uss kaali aakriti ne dheere dheere ek roop lena shuru
kiya aur kuch hi palon baad Shaila ke saamne ek behad khubsoorat ladki khadi thi jiske
libas halke sweth aur halke kaale the

Ladki:- lo main saamne aa gayi ab

Shaila:- sawal ab bhi nahi badla kaun ho tum?

Ladki:- Bhuvika

Shaila:- aur iss tarah beech darbaar me aane ka kya arth hai?

Bhuvika:- main yaha tumhe tumhari aukaad yaad dilane aayi hun Bhuvika ki baat sunkar
Shaila aur waha moujud sabhi sabha sadon ko ghussa aa gaya

Mantri:- hamari raani ka apmaan karne ki tum ahhh isse aage wo kuch keh nahi paya kyu
ki uski baat puri hone se pehle hi uska sharir hawa me uth gaya aur phir tezi se wapas
zamin par gira jis wajah se uske mouh se karah si phuti ye dekh saare sabha sad thode dar
se gaye wahi Shaila ka krodh kafi badh gaya

Shaila:- tujhe tera anth yaha kheench laya hai ye bol Shaila ne miyan se apni talwar
kheenchi aur Bhuvika ki taraf chalaang laga di Shaila ka sharir hawa ko chirta hua aage
badhne laga talwar ke mooth par apne haath sakht kar Shaila Bhuvika ke sar ke upar
pahunch chuki thi jahan Shaila ne pure vegh se apni talwar ghumayi wahi Bhuvika chup
chaap Shaila ko ghurti hui khadi rahi aur tabhi Shaila ka mouh ashcharyata ki adhikta se
khul gaya wo kabhi apne haath ko dekhti toh kabhi uske sharir ko haath issliye kyu ki uske
haath se uski talwar gayab ho chuki thi aur sharir ko issliye kyu ki uska sharir hawa me ruk
sa gaya tha ya fir ye kahu ki uske sharir ko hawa me hi baandh sa diya gaya tha Bhuvika
ne apne haath aage kiye aur agle hi pal mmmm ye awaaz Shaila ke mouh se nikal rahi thi
aur wajah Bhuvika ke haath aage karte hi Shaila ka sharir ek jhatke se aage ki taraf gira
par girne se pehle hi Shaila ki gardan Bhuvika ke haathon me fas chuki thi Bhuvika halka
sa hi pressure lagaye hue thi par Shaila ke liye ye bhi bohat zyada tha uska dum ghutne
laga Shaila ne bohat haath pair chalaye par Bhuvika ki pakad se azaad nahi ho payi aur jab
bhi Shaila apne ghutne ya haath se Bhuvika pe prahar karti uske haath aur pair Bhuvika
ko chhune se pehle hi ruk jaate ya fir ye kahu ki unhe koi adrishya taakat rok deti wahi jo
kuch bhi ho raha tha usse dekhkar kisi bhi sabhasad ki himmat nahi ho rahi thi Bhuvika ke
saamne aane ki kuch pal ke sangharsh ke baad Shaila ka chehra laal padne laga uske ang
dheele padne lage uski aankhen band honi lagi par tabhi Bhuvika ne apne haath ko jise
usne Shaila ka gala dabaya hua tha usse jhatka diya aur agle hi pal Shaila ka sharir udta
hua peeche ki taraf gaya aur bhaad ye awaaz Shaila ke sharir ke uske singhasan se takrane
ki wajah se aayi thi apne hi singhasan se takraane ke baad Shaila ka sharir saamne bane
sidhiyon se ludhakta hua neeche farsh par gir gaya Shaila koi kamseen naazuk ladki toh
thi nahi jo ek takraaw ki kshati bhi naa jhel paye par Bhuvika ne jo uska gala dabaya tha
uski wajah se usse sense me aane me thoda waqt laga iss beech Bhuvika ne kuch nahi kiya
wo chup chaap khadi rahi kuch der baad jab Shaila ko kuch theek laga toh wo ek jhatke
me khadi ho gayi

Bhuvika:- teri himmat kaise hui uss singhasan me baithne ki jispar sirf meri didi ka hak tha
hai aur hamesha rahega Bhuvika ki baat Shaila ke dimag ke upar se gayi darasal usne kabhi
bhi Bhuvika ko pehle dekha nahi tha uss din jab Nishkalika mar rahi thi uss din Shaila ka
pura focus Nishkalika ke upar hi tha issliye uss din bhi usne Bhuvika par gaur nahi kiya tha

Shaila:- tumhari behan?


Bhuvika:- Nishkalika Nishkalika ka naam sun Shaila ko jhatka laga usne kabhi nahi socha
tha ki Nishkalika ki koi behan bhi hogi aur wo bhi itni taakatwar

Bhuvika:- meri behan ko maarkar tune acha nahi kiya Shaila par fikr mat kar Nishkalika
naa sahi par uski behan tujhe tere apraadh ka dand degi

Shaila:- Nishkalika ek buri sha ahhh Shaila apni baat khatam kare usse pehle hi Bhuvika ne
apna haath aage kiya aur agle hi pal Shaila ke sharir ko bijli ka ek tez jhatka laga bilji ka
jhatke se Shaila ka sharir sidha ho akad sa gaya aur tabhi Bhuvika ne fir apna ek haath
aage kiya Bhuvika ke aisa karte hi Shaila ka sharir tezi se aage badhne laga aur agle hi pal
Shaila ki gardan ek baar firse Bhuvika ke ungliyon ki giraft me thi

Bhuvika:- meri behan ke bare me kuch bhi galat bolne ka sochna bhi nahi ladki teri toh
itni bhi haisiyat nahi ki uska ya mera naam tak le sake jahan Bhuvika apna zeher ugal rahi
thi wahi Shaila ka dum ghutne lag gaya tha Shaila ko lagne laga tha ki uska aakhri samay
aa gaya hai Bhuvika ki apaar shakti ko bhi mehsoos kar rahi thi Shaila ke iss soch ko kahi
na kahi Bhuvika ne bhi padh liya

Bhuvika:- main tujhe maarungi nahii mout toh tere liye bohat choti saza hogi pal bhar me
hi tere saare kashton se tujhe nijaat mil jayega aur main aisa hone nahi dungi tujhe toh
main pal pal maarungi janti hai kaise? jis Gluto ki tu rani bankar ghumti hai naa ab tu issi
Gluto me ek gulaam bankar rahegi jis mahal me tu shaan se sar uthakar ghumti hai ussi
mahal ke saare farsh sar jhukaar dhoyegi aaj aur abhi se tu meri gulaam hai Bhuvika ne
apni ungliyon ki pakad kafi kam kar di thi taaki Shaila hosh me rahe aur uski baat sun sake
fir bhi uski pakad Shaila ke nazariye se sakht hi thi Bhuvika ki baat sunkar Shaila ne kaha

Shaila:- aisa hone se pehle main khud apni jaan de dungi Shaila ko mout manzoor hai
gulaami nahi

Bhuvika:- aur issliye tujhe mout nahi mil sakti tujhe wahi milega jise tujhe bohat zyada
taklif ho aur wo hai gulami jis mehel ki tu raani thi aaj se tu ussi mahal ki noukar hai

Shaila:- aisa kabhi bhi nahi hoga chhod de usse Bhuvika kuch kehti usse pehle hi ye awaaz
pure sabha me gunj uthi jahan Bhuvika ne saamne dekha toh uske chehre par ek
khatarnaak muskaan naach uthi wahi Shaila ka laal hua chera peela padh gaya

Bhuvika:- kya baat hai? raani se apni baat manwaane ke liye main toh pyaado ka istemal
karne ki soch rahi thi par yaha toh istemaal hone ke liye khud saamne se chal kar raja aa
gaya aao Akshaant aao aaj tumhe dekh tumhari priyatama se zyada khushi mujhe ho rahi
hai
Akshaant:- maine kaha chhodo usse ye bol Akshaant ne apne dono haath ko jod aage
jhatka diya Akshaant ke haathon se ek current ray nikli aur Bhuvika ki taraf lapak padi par
isse pehle ki wo ray Bhuvika ko chhu bhi paati ahhh ye awaaz Akshaant ke mouh se niklli
thi wajah uska chhoda gaya ray Bhuvika ke paas pahunchkar mood gaya aur double tezi
se Akshaant ko jaakar laga Akshaant ne aisa kuch hone ki ummid nahi ki thi ray ke lagte hi
usse ek jhatka laga aur wo niche gir gaya par agle hi pal wo wapas khada ho gaya aur apne
agle waar ke liye apne haath aage kar diye par usse pehle

Bhuvika:- main tumhare saath zaroor khelti par mere paas waqt nahi hai stabhayati gati
stop movement Bhuvika ke ye spell bolte hi Akshaant ka sharir halka hawa me uth sidha
hokar akad gaya ab kuch karna toh door Akshaant naa hil paa raha tha aur naahi kuch bol
paa raha tha apna kaam khatam kar Bhuvika ne Shaila ko neeche utara aur uske chehra
ko Akshaant ki taraf kiya Akshaant ki haalat dekh kar Shaila ki aakhen bheeg gayin

Bhuvika:- suna hai pyar karne wale apne pyaar ki jaan bachane ke liye kuch bhi kar guzarte
hain unhe kisi bhi baat ki fikr nahi hoti iss baat ko aazmaane ka waqt aa gaya hai ab agar
tune meri baat nahi maani toh ye bolkar Bhuvika ne apne haath ki ungliyon ko halka
ghumaya aur mmm ye ghuti ghuti si awaaz Akshaant ke gale se nikalne lagi wo bol toh
nahi paa raha tha par uske aankhon ne beintaha dard aaram se dekha jaa sakta tha Shaila
ne jab ye dekha toh wo bhaag kar Akshaant ki taraf gayi par isse pehle ki Akshaant ke paas
pahunchti Akshaant ke charo taraf aag ki lapte uth gayin jisne naa sirf Shaila ka raasta roka
par un lapton me se kuch lapton ne ek force ka roop liya aur Shaila ko dhakka dekar wapas
Bhuvika ke pairon ke paas gira diya

Bhuvika:- tu kabhi bhi uske paas nahi pahunch payegi wo tere aakhon ke saamne rahega
par fir bhi tu usse chhu bhi nahi payegi aaj se aur abhi se iss mahal me ek bhi noukar kaam
nahi karega yaha ka saara kaam tu karegi aur agar tu ne aisa nahi kiya toh Akshaant jaan
se jayega aur uske baad teri puri praja maregi Shaila ne kuch nahi kaha bas uski aankhon
se aansu nikalne lage

Bhuvika:- devil's haazir ho Bhuvika ke awaaz dete hi uske saamne saikdon ki sankhya me
devils prakat hone lage jo uske saamne sar jhukaaye khade the saare sabha sad ab bhi
waha moujud the aur bohat dare hue the

Bhuvika:- iss grah me aaj se andhere kaa raaj hoga iss grah ke saare hisso ke grah dwaar
band kar do meri behan ke raaj ke waqt jaisa chalta tha aaj se yaha punah waisa hi chalega
jahan devils ne apna sar jhukayea aur gayab ho gaye wahi saare sabhasad bhi haan me
mundi hilate hue bahar ki taraf tezi se nikal gaye
Bhuvika:- naukraani gulaam itne mehnge vastra nahi pehente Bhuvika ne apna haath
ghumaya aur agle hi pal Shaila ke sharir ke shaahi vastra gayab ho chuke the aur unki
jagah ek phata sa kapda uska pehna libas ban chuka tha Shaila ab bhi halke halke aansu
baha rahi thi

Bhuvika:- itni der ho gayi tere saath itna kuch ho gaya naa toh tune apne bhagwaan ko
yaad kiya aur naahi uske bete ko Bhuvika ki baat sun Shaila ne jalti hui aankhon se uski
taraf dekha

Bhuvika:- waise iska koi laabh hota nahi kyu ki teri madad karne koi nahi aayega Bhuvika
ki baat sunkar iss baar Shailake chehre par ghusse ke saath saath ek smile bhi aa gayi thi

Shaila:- yaad unhe kiya jata hai jise hum bhool chuke hon jo hamare rag rag me hain unhe
kya yaad karna aaj beshak tune mujhe hara diya hai par iss jeet ko apna sampurn vijay
samjhne ki galti mat karna mujhe ye toh nahi pata ki Vikram ab tak kyu nahi aaya par itna
maalum hai ki wo aayega zaroor aur jis din aisa hoga us din main dekhungi ki tu kitni
taakatwar hai uski ek jhalak tujhe tere astitv par shak karne par agar majboor naa kar de
toh mera naam bhi Shaila nahi mmmm Shaila ki baat sunkar Bhuvika ko krodh aaya par
usse pata tha ki Shaila ko agar taklif pahuchaani hai toh dard Akshaant ko dena hoga aur
issliye Bhuvika ne Akshaant ko dekh apni ungliyan ghumayi jise Akshaant ke akde sharir
me daraar si padne lagi aur aise me usse bohat zyada dard feel hone laga Akshaant ki
haalat dekh Shaila ki hasiuska ghussa sab gayab ho gaye aur wo fir ek asahaye ki tarah
aansu tapkaane lagi

Bhuvika:- ye bebasi hi teri asli pehchaan hai isse mat bhula kar tu filhal ke liye mujhe jana
hoga par jab main wapas aaun toh mujhe mera mahal saaf suthra chahiye warna tere
aashiq ki main haalat kharab kar dungi mahal toh pura saaf hi tha aur isse pehle ki Shaila
Bhuvika ki baat ka matlab samjh paati usse sab samjh aa gaya toh hua ye ki apni baat keh
Bhuvika ne kalusaam dirt Bhuvika ke spell bolte hi pure mahal ka farsh ganda hokar kaala
pad gaya Shaila ko dekh Bhuvika ne ek zehrili muskaan di aur gayab ho gayi Shaila ne apni
nam aakhon ko band kiya aur

Shaila:- itna kuch ho gaya aur tum nahi aaye kaha ho tum? jahan bhi ho jaldi aao
Vikrammm aur meri aankh khul gayi matab flashback khatam present chalu maine apne
aas paas dekha fir wahi 200 feet gehra paani jiske satah par main baitha hua tha charon
taraf machliyan jo mere aankh khulte hi bhaag khadi huin jo scene abhi chal raha tha wo
main pehle bhi kayi baar dekh chuka hun par aaj mujhe Shaila ka dard apne andar tak
mehsoos ho raha tha khair main apna aasan chhod khada hua aur apne pairon ko satah
par jama khudko halka push kiya aur agle hi pal mera sharir paani ko cheerta hua bahar
nikal aaya

Main:- saali iss jhand zindagi ki panouti khatam hi nahi hoti tabhi mere andar se awaaz
aayi saale zindagi toh meri jhand ho rakhi hai tere jaisa panouti jo mujhe lag rakha hai
main apne aap me budbuda hi raha tha ki mere andar ke ch****** ne hugna shuru kar
diya ab isse bahas karna mere bas ki naa hai issliye main chup chaap gayab ho gaya

Place: Delhi

ye custom wale bhi naa aise check karte hain jaise hum aatankwaadi hai aur asli
aatankwaadi aaram se ghus jaate hain chali je ab kaha chalen? kaha hai hamara beta?
shaam ke kareeb 7 baj rahe the jab Jairaj ki chartered plane Delhi airport par land hui par
kyu ki Jairaj and company khudki plane me aaye the issliye dobara unhe customs se hokar
guzarna pada jis wajah se un sab ko check out kar bahar aane me thoda extra time lag
gaya Minu apne bete se milne ke liye usse gale lagane ke liye usse wapas ghar lejane ke
liye itni excited thi ki ye sab formalities karte karte unhe ghussa aa raha tha jis wajah se
wo apna frustration nikal rahi thi par aakhir me apna sawal puch jab Minu ne apne
husband ki taraf dekha toh Jairaj ko confused sa paya

Minu:- kya hua? kya soch rahe hain aap?

Jairaj:- yahi soch raha hun ki ab jayen kahan? hum yaha aa toh gaye hain par mujhe ye
nahi pata ki hamara beta rehta kaha hain ya wo milega kahan?

Minu:- kya? aapko pata nahi ki Vicky kaha rehta hai? par aapne toh phone par uske bare
me puri baat ki thi naa

Jairaj:- phone par sirf ye pata chala tha ki hamara beta yaha Delhi me hai aur kuch nahi
apne bete se milne ke excitement me hum bina uske residence ke bare me jane hi yaha
aa gaye maine apne kuch logon ko Vicky ki pics send ki hain aur pata lagane ke liye kaha
hai par itne short period me Vicky ki exact location milna impossible hai

Minu:- toh ab? Minu ne ye baat bohat hi udaas lehje me kahi thi par isse pehle ki Jairaj
kuch kehte

Ronit:- toh ab ye ki hum jaate hain aur Vj se milte hain Ronit ki baat sunkar Jairaj aur Minu
sawal aur confusion bhari nazro se Ronit ki taraf dekhne lage

Ronit:- mujhe pata hai ki Vj kaha milega


Dono:- sach par tujhe kaise pata?

Ronit:- waise hi jaise iss baat ka pata tha ki Vj Delhi me hai ab baaki ki baatein chhodiye
aur jaldi chaliye mujhe apne bhai se milna hai Jairaj ke Delhi me bhi offices aur hotels the
jahan se unhe lene ke liye car aayi hui thi Ronit Jairaj aur Minu khushi khushi car me baith
gaye

Ronit:- Hotel Cuisine Unlimited yahi le chal bhai Ronit ke mouh se iss jagah ka naam sun
Jairaj aur Minu hairan se ho gaye

Minu:- mera beta waha kya kar raha hai kya wahi rehta hai wo?

Ronit:- koi idea nahi hai aunty aur hume iss hotel ke reception par nahi balki hotel ke
andar bane resturant me jana hai Ronit ki baat sunkar Minu aur Jairaj ko fir jhatka laga
par isse pehle ki wo kuch kehte

Ronit:- mujhe bhi koi idea nahi hai mujhe bas itna pata hai ki agar hume Vj abhi kahi mil
sakta hai toh wo iss hotel ke issi resturant me hi mil sakta hai fir kisine kuch nahi kaha aur
unki car apne destination ki taraf chal padi

Place: Hotel Cuisine Unlimited

here we go thats ur epitite filler chicken salad casserolethe yum fish pietagine & at last
my pers fav lasagne will that be all? raat ke 8 baj rahe hain jo ki mere job hours ka waqt
hai ek mature couple jinka order main just lekar aaya tha usse serve karte hue maine apni
baat kahi

Aadmi:- no young lad that will be all but I must say u have a very charming personality
tumhe dekh kar koi nahi keh sakta ki tum ek waiter ho

Main:- (mann main) tujhe dekhkar bhi koi nahi bol sakta ki tere jeb me paise hain saale
sab ch****** hi kyu milte hain mujhe abbe khaana khaa aur thusna hai toh bata laa deta
hun nigal aur nikal andar ek aag jo ubal si maar rahi thi par wahi mera chehra jispe main
ek jhuthi smile liye apne saamne baithe mahanu bhav ch***e ko dekh raha tha

Main:- thanks for the compilment sir

Aadmi:- you know what? today iss your lucky day main bhi ek resturants ka chain kholne
wala hun & I have an offer for you you join my resturant and that too not as a waiter but
as the manager of one of my resturant uss bande ne apni baat khatam ki hi thi ki uski wife
usse boli
Wife:- arre bina qualification ya interview liye itni badi post aap isse kaise de sakte hain?
ek baar milkar aise decisions nahi liye jaate

Main:- (mann main) ghante ka bada post saali bol toh aise rahi hai jaise NASA me
astrounot ke liye selection ki baat ho rahi hai

Aadmi:- mujhe bande ki parakh hai my sweet wife tension mat loi know he will do fine
kyu young boy what do you say? ye tumhare liye ek life changing oppurtunity hai
interested?

not intereseted ye awaaz Vj ki nahi thi ye uske peeche se aayi thi jahan wo husband wife
ne palat kar awaaz ke disha me dekhne lage wahi mera dil dhakk kar gaya jasbaaton ke
samandar mere andar tufan uthane lage pair halke halke kaampne lage palatne ki himmat
nahi ho rahi thi par palatna toh tha hi aur main dheere dheere palta aur palatne ke baad
jo maine dekha usse dekh mere dil ki dhadkan ek second ke liye ruk si gayi aaj kareeb 7
mahine baad main apne mom aur dad ko dekh raha tha par meri dhadkan ke skip karne
ka reason bas mom dad ko dekhna nahi tha balki unki condition ko dekhne ki wajah se tha
both were looking terribely wierd dad ki daadhi nikal aayi thi aakhen jinme iss waqt ghussa
aur dard ka mila jula expresion tha uski wo chamak jo har waqt rehti thi wo kahi kho sa
gayi thi aur mom unke bare me kya bataun? pura sharir kamzor padh chuka tha najane
wo kaise apne pairon par khadi thi? chehra bhi pura sookh chuka tha aur iss waqt toh unki
haalat aur kharaab dikh rahi thi aankhon me aansu ke samandar liye unki body shock se
kaamp rahi thi aisa hi shock dad ko bhi laga tha aur wo bhi halke halke kaamp rahe the
shock reason apne bete ko white uniform me ek waiter ke roop me dekhne ka shock mere
dad ke jinke khud ke najane kitne hotels hain unka beta ek hotel ke resturant me kaam
kar raha hai iss baat ka shock India ke leading industrialist ka beta pichle 7 mahino se
garibi ki zindagi guzar raha hai iss baat ka shock jaise hi main palta mere waiter ke getup
ko dekh kar dad aur mom ki aankhen shock aur dard ki adhikta se pathra si gayi thi mom
toh waisi hi rahi par dad jaldi se hosh me aa gaye aur hosh me aate hi unke jabde bheench
gaye saala itni taakat ki puri duniya ko ek jhatke me khatam kar sakta hun par dad ko
ghusse me dekh meri andar tak se fat gayi tabhi toh kehte hain ki baap baap hota hai dad
tezi se aage badhe aur chataakk mujhe koi fark toh nahi pada par mera ek gaal laal ho
gaya mere dimag me ghusse ka ek tufaan sa utha par ek adrishya cheez se takrakar wo
tufan khatam hone laga jahan thappad padne ke baad main apne hi maansik haalat ko
samjhne ki koshish me laga hua tha wahi zindagi me pehli baar mujhpar haath uthane ke
baad dad ke aansu jo unki aankhon me ruke hue the wo chhalak pade
Dad:- khudko aisi haalat me dikhane se acha toh tu pehle hume maar deta toh thek rehta
dad isse aage kuch nahi keh paye aur unki nazar ghumkar uss aadmi pe thairi jisne mujhe
job offer ki thi wo aadmi bhi dad ko aankhen phaade dekh raha tha same haalat uski biwi
ki bhi thi ab aisa kaun sa businessmen hoga jo Jairaj Singh ko nahi janta ho aur Jairaj Singh
ko apni aankhon ke saamne dekhna wo bhi iss tarah se kisi ke liye bhi shocking tha shock
sirf uss aadmi ko nahi laga tha restuarant me aaye sabhi customers jinki sankhya zyada
nahi thi wo bhi kafi shocked hokar jo ho raha tha wo dekh rahe the

Dad:- aap mere bete ko job denge? ye jaankar ki main Jairaj Singh ka beta hun uss aadmi
ki jitni bachi thi wo hawa bhi nikal gayi

Aadmi:- sir wo par isse aage wo kuch na keh paya dad ne apna haath aage kar usse bolne
se rok diya kuch der tak uss bande ko ghurne ke baad dad meri taraf wapas mude hi the
ki aunty iss awaaz se jahan dad turant palte wahi mere dimag ki nase fatne lagi
reasonmom faint hokar neeche girne hi wali thi ki Ronit jo ki mom se thoda peeche khada
thausne ye hote hue dekh liya aur tezi se aage aaya isse pehle ki mom neeche girti Ronit
ne unhe thaam liya Ronit ne mom ko girne se bacha toh liya tha par mom behosh ho chuki
thi mom bohat zyada weakness ke baawjud yaha tak meri khaatir aayi thi par kamzori
unpar haawi hoti jaa rahi thi aur jab unhone mujhe waiter ke kapdo me dekha toh unhe
mentally ek tez jhatka laga kuch der tak toh wo shock ki wajah se stabhd si khadi rahi par
jaise hi wo wapas reality me aayi behosh ho gayin Ronit resturant me kadam rakhte hi
sabse pehle mujhpar nazar Ronit ki hi gayi thi aur usse mujhe aise dekhkar jo taklif hui thi
wo agar mom dad se zyada nahi thi toh kam bhi nahi thi jahan mom dad mere paas aa
gaye the waha wo jad sa hokar door khada reh gaya tha par jab dad ne mujhe thappad
maara tab wo wapas hosh me aaya tha wo mere paas aane hi wala tha par isse pehle hi
mom girne lagi jise usne naa sirf dekh liya balki mom ko farsh par girne se pehle bacha bhi
liya iss waqt Ronit mom ke sar ko godh me rakhkar ro raha tha dad ne Dr ko call karne ke
liye apna mobile nikala hi tha ki mere haathon se ek adrishya ray nikli aur mom ke sar me
sama gayi aisa hote hi mom ke sharir ko ek jhatka laga aur unki aankhen khul gayi unki
behoshi hi nahi unke sharir ki saari kamzori bhi khatam ho chuki thi jahan mom ko hosh
me aate dekh dad ne call kaat diya wahi Ronit meri taraf dekhne laga usse pata chal chuka
tha ki ye maine kiya hai uthete hi mom ki nazar mujh par gayi mom jhat se uthkar khadi
ho gayin yun speed se mom ko uthete dekh dad shocked ho gaye

Mom:- apni maa ke gale nahi lagega 7 mahino ke baad aaj maa ki awaaz sun raha tha dilon
ki gehrayi ko ek sukoon sa mil gaya tha main dheere dheere aage badha kuch tha jo mujhe
rok raha tha aur kuch tha jo usse rok raha tha jo mujhe rok raha tha main mom ke thek
saamne khada ho gaya iss waqt mera chehra bhaav shunya tha main bas ek tak apni mom
ko dekhe jaa raha tha mujhe samjh hi nahi aa raha tha ki main kya karun? unke gale lag
jaaun unke pairon me gir jaaunya fir ek baar firse gaayab ho jaaun mere andar ka chhupa
shaitan mujhe gayab hone ke liye keh raha tha par mujhe aisa lag raha tha jaise uss shaitan
par ek lagaam hai main uski baat maanane se mana kar sakta hun aur

Main:- (mann main) nahi main kahi nahi jaaungaa mere aisa bolte hi mere andar ho rahi
hulchal jaise shaant si ho gayi

Main:- mom mere itna kehne ki der thi mom jhat se mere gale lag gayi aur tez rone lagi
waise toh mere ghar chhodne ke baad se hi mom kafi royin thi par aaj unke rone me ek
sukoon tha kuch der baad unki rulayi sissakne me badal gayi aur jab unke andar ka gubaar
nikal gaya toh

Mom:- ye kapde nikal main tujhe ek second ke liye bhi in kapdon me nahi dekh sakti

Main:- mom main

Mom:- kya mom? maine kahanaa nikal matlab nikal abhi main kuch kehta usse pehle hi

Dad:- arre apne hotel ke restuarant ka dress code hi toh pehna hai isme kya galat hai
pehenane do dad jo ki mere aur mom ke gale milne ke baad hi humse thoda door hokar
kisi se phone me baat karne lag gaye themom ki baat sun hamare paas aaye aur apni baat
kahi par unki baat ka matlab humme se kisi ko samjh nahi aaya aur isse pehle ki koi unse
kuch puchta

Dad:- aaiye sir resturant ke entrance se ek aadmi aa raha tha jise dekhkar dad ne ye kaha
mom aur Ronit ke liye toh wo banda naya tha par mere liye nahi wo aadmi aur koi nahi
iss hotel ka malik tha

Owner:- ye lijiye sir uss owner ne kuch kaagzaat dad ki taraf badha diye

Dad:- payment ho chuka hai

Owner:- haan main check kar chuka hun aaj se ye hotel aur ye resturant aapka

Dad:- mera nahi mere bete ka ye bol dad ne wo papers meri taraf badha diye jise maine
hold kar liya

Ex owner:- congrats son ye bol owner nikal gaya saare customers toh pehle hi jaa chuke
the aur aaj ke liye resturant ko close bhi kar diya gaya tha iss waqt resturant me hamare
alaawa aur koi nahi tha mom aur Ronit pehle toh thoda surprised hue par fir khush ho
gaye

Dad:- ab toh koi shikwa nahi hai naa ye hotel toh issika hai aur apne hi hotel me kaam
karne me kaisi sharam mom dad ke gale lag gayi aaj mere ghar chhodne ke baad first time
dono ne wahi purane dhang se ek dusre ko hug kiya tha ek mukkammal jode ki tarah in
sab ke beech Ronit ke tak meri taraf dekh raha tha dekh toh main bhi uski taraf dekh raha
tha par maine usse ye zaahir nahi hone diya par iss baat ko dad ne notice kar liya aur
unhone dheere se mom ke kaan me kuch kaha

Mom:- tum dono ke beech uss din kya hua tha ye hum nahi jante aur jaanna bhi nahi
chaahte hum dono bahar jaa rahe hain tum dono apne differences khatam karo aur jab
bhi tum dono bahar aao toh mujhe pehle ki tarah apne dono bete ek saath chahiye ye bol
mom aur dad bahar nikal gaye aur reh gaye sirf main aur Ronit jahan mujhe apni taraf naa
dekhta dekh Ronit ko lag raha tha ki main ab bhi usse naraz hun wahi mujhe ek bechaini
si ho rahi thi main Ronit ki taklif uski tadap mehsoos kar paa raha tha main usse baat karna
chaah raha tha par mere andar moujud shaitan mujhe aisa karne se rok raha tha maine
ek baar Ronit ki taraf dekha aur uski side se hota hua aage nikalne laga par tabhi maine
apna haath aage badhaya par Ronit ne mera haath hata aage badha aur kaske mere gale
lag gaya

Main:- (mann main) ghante ki kaali shaktiyon bina wazan ki dosti bhi bhaari pad gayi
Planet: Earth

Place: Menakshi Mansion

mom dad ye kya tarika hai aap dono ek saath do do baatein bhul gaye meri baat sunkar
mom aur dad jo ki abhi bhi aadhe neend me hi the wo apni aadhi khuli aankhon se ek
dusre ki taraf dekhne lage ab jab ek dusre se koi jawab nahi mila toh

Dad:- kya tarika? aur kaun si do baat?

Main:- pehli baat ki ab main koi chota bacha nahi raha aur dusri ye ki ab aap dono mere
bachpan ke time jaise jawan nahi rahe aap dono ne puri raat yun aadhe baithe aadhe lete
position me guzar di aise me toh aapki body akad jayegi

Mom:- aisa kuch nahi ahhh mom ke mouh se ek karaah nikal gayi wajah jaise hi wo uthne
ko huin toh unki kamar jo raat bhar weird position me rehne ki wajah se akad gayi thi
usme pain hua maine mom ko sahara dekar uthaya aur jab dad ki taraf dekha toh mujhe
hasi aa gayi par main hasa nahi dad bhi apne kamar ko apne haathon se press kar rahe
the par mujhe khudki taraf dekhta dekh unhone apne haath hata liye

Main:- dad dard hai toh hai chupaane se kya faayda aap dono aaram se yahi so jaayiye
main chala gym dada aur mom kuch kehna chahte the par maine dono ko bolne nahi diya
maine mom ko apne bed par sula diya dad toh already bed par hi the wo bhi mom ke side
me thek se let gaye maine dono ko warning diya ki aaj wo dono sirf rest kare ge mom ke
liye no kitchen aur dad ke liye no office ye bol main room se nikal gaya aur chal pada gym
ki taraf chaliye jab tak main gym me pahunchta hun aap sabko bata deta hun ki kal mere
aur Ronit ke hotel se jo ki ab hamara hi tha nikalne ke baad kya kya hua?

Small Flashback

mujhe aur Ronit ko saath saath bahar aate dekh mom dad khush ho gaye jahan mom ne
baari baari se mera aur Ronit ka maatha chuma wahi dad ne hum dono ko hug kiya ek
ghante ki drive ke baad hum airport me the iss dauran mom dad ne mujhse mere pichle
7 mahino ki activity ke bare me sab kuch pucha unhe ye toh pata chal gaya tha ki main
kaha job karta tha wo ye jaanna chahte the ki main rehta kaha tha travel kaise karta tha
wagairah wagairah maine unhe bas itna kaha ki mujhe ek quarter saste me mil gaya tha
aur main paidal ya auto se travel karta tha meri baat sunkar mom dad ek baar firse sad
ho gaye par mujhse dobara milne aur apne saath wapas le jane ki khushi ke saamne unki
udasi zyada der tak tik nahi payi mom dad ko toh maine jhuth bolkar tarka diya tha par
Ronit ko ye pata tha ki main jhoot bol raha hun wo janta tha ki naa mujhe rehne ke liye
jagah chahiye aur naa hi mujhe travelling karne ke liye kisi chiz ki zaroorat hai usse ye bhi
andaza ho gaya tha ye jo job main kar raha tha wo mera ek cover hi tha cover jise main
sabke nazar me normal dikh sakta tha par do sawal aise the jo Ronit ke zehen me lagatar
chal rahe the pehla toh yahi ki Avantika ne usse thanks kyu kaha aur wajah puchne par ye
shart kyu rakhi ki agar wo Vj ko saath lane me kaamiyab rahe tab wo uske kahe thanks ka
reason batayegi aur dusra sawal wo aap kuch der baad Ronit ki zubaani hi sun lijiyega
khair airport pahunch apni plane me baith hum sab wapas Mumbai aa gaye ghar
pahunchte pahunchte hume raat ke ek baj gaye the par jaise hi hum charon hall me ghuse
hamari teeno family hume waha hamare intezar me baithi mili naanu nani meri gudiya
Aashi mama maami sabhi waha moujud the mera dil itne dino baad dabko dekh kar bohat
khush tha par dimag ko kaabu paane ki koshish me emotions par bhi kaabu paana hota
hai iss wajah se main normal hi raha mila main sabse but normally mujhe aise dekh sabko
thoda dukh toh hua par mom dad ki hi tarah mere wapas aane ki khushi uss dukh se kahi
upar thi jab Savita aunty mere paas aayin toh main thoda nervous hua tha reason last
time jo maine unke bete ke saath kiya tha aur uske baad jo harkat ki thi wo aaj bhi mere
zehen me taaza thi ek toh waise hi mera dimag thoda out of control tha uspar aunty ka
mere saamne aana mujhe samjh me hi nahi aa raha tha ki main kaise react karun par iski
zaroorat hi nahi padi mere paas aakar Savita aunty ne mera maatha chuma aur mujhe
gale laga liya main unka pyar mujhe gale lagate hi unke nikalne wale aansuon ko mehsoos
kar sakta tha maine kuch kaha toh nahi par wo un do logon me se ek thi jinhe dekhkar
main muskuraya tha aur mujhe muskurata dekh mere saare ghar wale bohat khush hue
the jaisa ki maine bataya ki Savita aunty un do logon me se ek thi jinhe dekh main
muskuraya tha unke alawa Neha aunty (AnjalI’s mom) jab mere paas aayin toh maine
saamne se unhe gale laga liya tha unke dard sa dard aur kisiko naa tha kahi naa kahi unki
haalat ka zimmedar main bhi tha itna tez dimag hokar bhi main Asmodeus se ek baazi
haar gaya tha haara main aur saza meri dost ko mili mere pure pariwar ko mili khair Neha
aunty aur Harpreet uncle se milne ke baad main apne room me chala gaya jahan sabhi
ghar wale mujhe normally dekh rahe the wahi Ronit maatra hi aisa tha jo mere saare haav
bhaav ko dhayan se note kar raha tha sabse milte waqt Ronit mere chehre ko gaur se dekh
raha tha usse andaza ho raha tha ki main khud ko control kar raha hun par kyu ye wo
samjh nahi paa raha tha par ek natije par wo confirm ho gaya tha aur wo ye ki mere saath
kuch bohat bura hua hai kuch aisa jo usne kabhi socha nahi tha aur usse ye bhi pata tha
ki mujhse wo kuch pata nahi kar payega par uske zehen me ek chehra ghum raha tha jo
usse saari sachayi bata sakta tha Avantika yaha main apne rooms me tangi meri Ronit aur
Anjali ki photos dekh hi raha tha ki mom aur dad mere paas aaye dono ne zidh ki ki aaj wo
mere saath soyenge maine mana kiya par wo dono nahi maane aakhir me haar maan main
bed par let gaya jahan dad mere right side bed par sirahane me baith mera sir sehlane
lage wahi mom mere pair ke paas baith kar mere pair dabane lagi maine dono ko ye sab
naa karne dene liye uthna chaha par pehle toh dad ne mere sar par haath rakh mujhe
uthne nahi diya par fir bhi main jab naa maana toh mom ne apni kasam de di maine ek
lambi saans chhodi aur chup chaap let gaya pichle 7 mahino se main raat ko soya nahi tha
har raat main ek jagah jaakar dhayan me baithta tha par aaj aisa possible nahi tha dusri
taraf mom dad ka yun care mere dimag ke andar khalbali sa machane laga aur khudko
control me rakhne ke liye main lete lete hi dhayan awastha me chala gaya har din ki tarah
subah ke for baje mera dhayan toot gaya par jab maine apne left right dekha toh fir ek
jasbaaton ka samandar mere andar utha par maine khudko control kar liya ek side dad
mere sar par haath rakhe rakhe baithe baithe hi so gaye the wahi dusri taraf mom toh bed
par thi hi nahi wo bed ke neeche baith mere pairon ko dabate dabate mere pairon ke upar
hi so gayi thi maine un dono ko uthane ka socha par fir main ruk gaya agar abhi main dono
ko uthata toh fir main jahan jane wala tha waha jaa nahi paata issliye main ussi position
se lete lete gaayab ho gaya jis kaam se gaya tha wo kiya aur fir wapas jaise leta hua tha
ussi position me aakar let gaya maine mom dad dono ko halka halka hilaya wo dono jis
position me soye the usme unki neend waise hi kacchi thi mere hilane se dono ki neend
toot gayi aur uske baad ka conversation main bata chuka hun

Flashback ends:

tujhe kabse in sabki zaroorat padne lagi

Main:- leadron ki basti me koi toh fit hona chahiye naa mujhe gym me aaye ek ghanta ho
gaya tha main weight lifting kar hi raha tha ki itne me mere piche se ye awaaz aayi ye aur
koi nahi Ronit tha

Ronit:- saale ledra hoga tu? tabhi toh apni haddiyan mazboot karne ke liye tujhe gym ki
zaroorat pad rahi hai

Main:- beta jo gym hum karte hain wo sirf hum hi kar sakte hain thek waise hi jaise teri
bakwaas sirf tu hi kar sakta hai

Ronit:- ghante ka tum hi kar sakte ho jo tu kar raha hai wo toh har koi karta hai

Main:- paani me laath aur hawa me baat soch samjh kar karna chahiye baalak ek kaam
kar isse sirf ek baar utha ke dikha maine apne weight lifter jise main bench press maar
ragh tha uski taraf ishara kar Ronit se kaha mere aisa kehne ka reason jaanne ke liye Ronit
bhi curious tha usse ache se pata tha ki main koi baat bewajah nahi kehta apne haath ko
jhatakte hue Ronit weight lifter ke paas aaya aur bench par let gaya agle hi pal mmmm
pehle thoda fir thoda zyada aur fir Ronit ne apni puri taakat laga di par fir bhi wo weight
lifter ko utha nahi paya ek minute tak apni puri jaan lagaane ke baad Ronit thak haar kar
sidha khada ho gaya kamar par haath chehre par thakaan aur aankhon me avishwaas liye
wo meri taraf dekh raha tha

Main:- apni sadi hui shakal ko aur kitna kharab karega nikal yaha se mujhe gym karna hai
par Ronit gaya nahi wahi khada raha aur

Ronit:- pehle ye bata ki isse main lift kyu nahi kar paya weight toh bas 200 kg hi dikha raha
hai itna toh main apni ek ungli se utha sakta hun fir apni puri taakat lagakar bhi main isse
kaise nahi utha paya

Main:- ohho scientist ko theory jaanna hai taaki koi naya invention kar sake abbe jab
maine kaha ki tere bas ki naa hai toh chup chaap maan lena chahiye naa par nahi hum toh
apni dedh hoshiyaari dikha ke rahenge kyu ki kuch sikhe naa sikhe par apni bail buddhi
dikhana toh humne paida hote saath sikh liya tha kyu? waise toh meri baat sunkar Ronit
ko ghussa hona chahiye tha par hua ulta maine jis tarike se apni shakal bana bana kar
baatein kahi thi usse sunkar Ronit ki hasi chhut gayi aur usse hasta dekh main aur chidh
gaya

Main:- hihihi daant niporna ho gaya ho toh nikal ab

Ronit:- pehle ye bata ki main isse utha kyu nahi paya warna main nahi jane wala maine
pehle kuch der Ronit ko ghur kar dekhta raha par saale par mere ghurne ka koi asar nahi
pada issliye

Main:- universe me jitne bhi heavy metals hain maine un sab ke wazan ko ek invisible
energy me badal kar iss weight lifter me daal diya hai abhi iska wazan kisi planet ke wazan
se bhi zyada hai ye bolkar maine ek jhatke me uss weight lifter ko utha liya main toh wapas
weight lift karne me lag gaya par meri baat sunkar Ronit ka mouh khulla ka khulla reh gaya

Ronit:- agar iska weight inta zyada hai toh floor par koi asar kyu nahi ho raha hai itne
wazan ke saath toh yaha ki puri zameen yaha tak ki jahan tak iska impact hoga waha tak
ki zameen dhas jaani chahiye

Main:- iske andar jo weight energy maine daali hai wo tabhi asar me aati hai jab isse
uthaya jata hai zameen par aate hi iska weight normal ho jata hai

Ronit:- woww amazing bhai

Main:- kaash main bhi tere bare me aisa kuch kabhi keh paata hamesha bail buddhi ka
bail buddhi hi rahega Ronit iss baar bhi meri baat par hans diya aur haste haste bahar nikal
gaya jahan main wapas gym karne me lag gaya wahi Ronit bike lekar kahi nikal gaya

Place: Ahuja mansion good morning mom

good morning beta kya baat hai aaj kal tu bohat jaldi uth jati hai tu ne jogging bhi start
kardi hai subah ka waqt hai subha jaldi uth Avantika kuch der tak room me rahi jaise wo
har roz rehti hai uske baad ghar se bahar aa jogging par nikal gayi aur just louti thi Avantika
hall me pahunchi hi thi ki uski mom ki nazar uspar padh gayi

Avantika:- toh ye toh achi baat hai naa mom

A/Mom:- bohat achi baat hai beta main toh issliye puch rahi hun kyu ki pehle tu aisi nahi
thi fir achanak yun change
Avantika:- offo mom pehle main health consious nahi thi ab hun simple thoda sa health
consious apni behan ko bhi bana de ye awaaz Shanaya ki mom ka tha jo Avantika ki taraf
aa rahi thi

Avantika:- Shanaya ko kya hua? achi khaasi fit toh hai

S/Mom:- kaha se fit hai? ek toh late uthati hai uspar ghar ka khaana toh jaise madam ko
pasand hi nahi hai bahar ka hi khaati hai aise me toh uski tabiyat bigad jayegi

Avantika:- kuch nahi hoga usse wo bahar ka zaroor khaati hai par unhyginic nahi khaati
acha mommain thoda bahar tehel rahi hun

A/Mom:- arre ab kaha chali? abhi toh jogging karke aayi hai

Avantika:- wo actually mom target calories burn karne ke liye thoda aur chalna padega
main aati hun ye bol bina kisiki koi baat sune Avantika fatafat ghar se bahar nikal gayi abhi
Avantika ne apne ghar ke gate se kadam bahar nikale hi the ki hi Avni Avantika ka face iss
awaaz ki taraf hi tha jo ki aur kisika nahi Ronit ki tha Ronit ko apne saamne dekh Avantika
ke chehre par smile aa gayi

Avantika:- so mission accomplished right tum Vj ko wapas le hi aaye

Ronit:- tumhe kaise pata?

Avantika:- Vj jitna toh nahi par janti toh main bhi tumhe ache se hi hun Vj agar nahi aaya
hota toh tum yaha mere paas wo bhi subah subah nahi aaye hote

Ronit:- matlab

Avantika:- mere thank you kehne ka reason janane aaye ho naa?

Ronit:- haan par saath me main kuch aur bhi jsike bare me mujhe janana hai

Avantika:- hmm thek hai waise tumse zyada iss pal ka maine intezar kiya hai

Ronit:- waqt kaisa waqt?

Avantika:- tumhe sach batane ka aur

Ronit:- aur

Avantika:- tumhe mera ek kaam karna hai actually mera nahi jo kaam tumhe karna hai wo
Vj ka hai aur wo kaam bohat zaroori hai

Ronit:- main kuch samjha nahi


Avantika:- sab samjh jaaoge chalo walk par chalte hain Ronit ne apni bike wahi side me
stand kar di aur fir wo aur Avantika paidal hi aage badhne lage kuch der tak dono ke beech
khamoshi rahi jahan Avantika ye soch rahi thi ki kya usse Ronit ko sab kuch batana chahiye
kyu ki wo janti thi ki Vj ke saath jo hua wo sunkar Ronit ko bohat zyada taklif hogi wahi
Ronit ke dimag me Vj ke gaayab hone ke baad ke sabhi lamhe ek ke baad ghumne lage
the wo janana chahta tha ki Lord of Angels hone ke baawajud Vj ke saath aisa kya hua jo
wo unki madad ke liye nahi aa paya Ronit ne Avantika ki taraf dekha toh usse gehri soch
me dooba paya

Ronit:- Avni mujhe sab kuch jaanna hai sab kuch Avantika kuch der tak Ronit ko dekhti
rahi fir

Avantika:- isse tumhe taklif ho sakti hai bohat taklif

Ronit:- jo taklif main mehsoos kar chuka hun usse zyada toh nahi hogi naa Avantika ne ek
gehri saans li aur Ronit ko sab kuch shuru se batana shuru kiya kaise wo Vikram aur
Alesendra Fountain of Light ke saamne gaye waha kaise pehli baar Vikram ka saamna uske
bhai Asmodeus aur bhatije Beelzebub se hua kis tarah Vj zakhmi ho maut ke kagaar tak
pahunch gaya tha kaise sitiuation ko aur mushkil banane ke liye Asmodeus ne Avantika ke
sharir me zeher chhoda kis tarah Vj ki jaan bachi bhavishyavani ka milnauske baad un
dono ka Courious pahunchna Courious ka shraap aur kaise Vj ne Courious waasiyon ko
shraap mukt kiyaaa Asmodeus ka plan kaise parivartak ka ismtemaal kar Asmodeus ne
Courious ke samay chakra ko pure bramhaand se tez kar diya Avantika ne Ronit ko bataya
ki kaise Asmodeus ne courin phal ke andar apna khoon milaya aur jaise hi Vikram ne uss
phal ka sewan kiyauski pehchaan usse alag ho gayi Vikram ki haalat aur uss haalat ke sach
ko jaankar Ronit ek jagah baith gaya jaise Avantika ne kaha tha usse bohat taklif hone lagi
Vikram ne itna kuch saha wo bhi akele ye sochkar hi uska dard badhta jaa raha tha
Avantika ne bhi usse kuch der rone diya kuch der baad jab Ronit ki taklif kuch kam hui toh

Ronit:- Vj apne hosh me hi nahi tha aur issliye usne mujhpar uss din haath uthaya tha

Avantika:- galat itna kuch hone ke baad bhi Vikram ne apne hosh ko kisi tarah sambhal
kar rakha tha Asmodeus ke khoon ki wajah se Vikram ko turant pura badal jana chahiye
tha usse bhi paap ke raaste me nikal jana chahiye tha par Vikram ne kisi tarah aisa hone
nahi diya jis din usne tumpar haath uthaya thaussi din ya fir ye kahu usse kuch der pehle
hi usse uski pehchaan chhini thi paap uske sar par haawi tha itne kharab condition me
hone ke baawjud usne kisi tarah apna dimag chalaya tumhe maarna uthakar room se
bahar fek denaye uska plan tha wo chahata tha ki pure gharwalon ko pata chale ki usne
tumhare saath aisa kiya hai jise gharwale uspe naraz hon aur wo ghar chhodkar chala jaye
kyu ki wo janta tha ki agar wo ghar par raha toh zaroor gharwalon ke saath kuch galat kar
dega issliye usne ye faisla liya aur jaisa wo chahta tha thek waisa hi hua aunty ne usse
ghar se nikal jane ke liye kaha jise usne ek second me maan liya aur chala gaya

Ronit:- mere bhai ke saath itna kuch ho gaya aur mujhe khabar tak nahi issliye wo Delhi
Ronit apni aage ki baat kehte kehte ruk gaya usse apna wo sawal yaad aa gaya jo wo
Avantika se kal se puchna chahta tha

Ronit:- mujhe ek baat samjh nahi aayi

Avantika:- kaun si baat?

Ronit:- usse pehle ye batao ki kya Vj thek ho gaya hai I mean Asmodeus ka khoon kya ab
uske andar nahi hai

Avantika:- hai Asmodeus ka khoon ab bhi Vj ke andar hai

Ronit:- agar Vj issliye hum sab se door gaya tha taaki uski wajah se humme se kisi ko
nuksaan nahi pahunche toh fir hume uska pata chal kaise gaya? I mean ye sach hai ki usne
khud hume apne bare me nahi bataya par ye bhi ek sach hai ki agar Vj nahi chahta ki hum
usse milen toh duniya me aisi koi taakat nahi hai jo hume usse mila de ya toh wo hamare
ustak pahunchne se pehle hi gayab ho jata or in first placewo aisa kuch karta ki hum tak
uski khabar pahunchti hi nahi Ronit ki baat sunkar Avantika ke chehre par smile aa gayi

Avantika:- I must say tumhara dimag kafi chalne laga hai Avantika ne tarrif ki par Ronit ka
mouh ban gaya

Ronit:- waah ek taraf tum ho jo mere dimag ki taarif kar rahi ho aur ek taraf wo khadus Vj
hai jisne mujhe yaha aane se pehle bail budhhi ke naam se samaanit kiya hai Ronit ki baat
sun Avantika khil khila kar hans padi

Avantika:- maine kahanaa ki abhi wo Asmodeus ke khoon ke prabhaav se bahar nahi aaya
hai

Ronit:- fir

Avantika:- issliye maine tumse kaha tha ki agar tum Vj ko wapas lane me kaamiyab hue
toh main tumhe apne thanks kehne ki wajah bataungi Vj ghar chhod kar issliye gaya tha
kyu ki uske andar ka shaitan uss waqt uspar haawi tha jise sabse zyada nuksaan Vj ke ghar
walon ko matlab tum sab ko hota par Vj ka tumhare saath yaha aane ka matlab hai ki usne
apne andar ke shaitan ko kuch hadh tak kaabu me karna sikh liya hai aur aisi haalat me ab
bahar walon ko Vj ke andar chhupe shaitan se khatra haigharwalon ko nahi ghar walon ki
wajah se wo khudko control me rakh payega aur isliye Vj tumsab ke saath wapas aa gaya
issliye maine tumhe thanks kaha tha kyu ki Vj ke wapas aane ka matlab hai wo pehle se
thek hai

Ronit:- thek hai perfect nahi aur main Vj ko pehle ki tarah perfect dekhna chahta hun

Avantika:- sirf tum nahi pura universe usse thek dekhna chahta hai kyu ki universe me
shaanti banaye rakhna ye Vj ki zimmedari hai jise wo pichle 7 mahino se nahi kar paa raha
hai

Ronit:- par ye hoga kaise?

Avantika:- ussi tarike ya fir ye kahu ki ussi chiz ke paas jaakar jise Vj ki haalat sudhri hai

Ronit:- matlab

Avantika:- maine tumse kaha tha naa ki tumhe Vj ka ek kaam karna hai ye wahi kaam hai
jiske pure hone se shayad hume Vj ko theek karne ka koi idea mil sake par

Ronit:- par par kya?

Avantika:- par isme bohat khatra hai tumhari jaan bhi jaa sakti hai

Ronit:- Anju ke roop me meri jaan pehle hi jaa chuki hai ab bas mere paas mera bhai hi
toh bacha haiuske liye agar ye dhadkan band bhi ho jaye toh koi gum nahi Avantika kuch
der tak Ronit ko dekhti rahi fir

Avantika:- hume kahi jana hoga par waha se aane me waqt lag sakta hai issliye pehle apne
apne ghar chalte hain ghar walon se kuch bahana banakar tumhare ghar ke paas jo garden
hai waha 10 baje milte hain

Ronit:- cool baat karte karte Avantika aur Ronit ghumte hue wapas Avantika ke ghar ke
saamne pahunch chuke the Avantika ko bye aur 10 baje milne ka bol Ronit apne bike me
baith apne ghar nikal gaya aur Avantika apne

10 am in Garden:

Ronit:- toh ab?

Avantika:- Secrilla hume waha jana hoga Secrilla forest ka naam sunkar Ronit ko shock
laga Ronit kuch kehne hi wala tha ki
Avantika:- sab bataungi par waha pahunchkar Secrilla ke sarhad ke saamne ki jagah yaad
hai tumhe

Ronit:- haan

Avantika:- ussi jagah pahunchne ke liye door kholo Ronit ko Avantika ki ye baat bhi samjh
nahi aayi par Secrilla pahunchne tak ke liye usne kuch bhi puchna thek nahi samjha aur
agle hi pal Ronit ka ek haath hawa me tha jise ek ray nikli ray Avantika aur Ronit ke saamne
gol gol ghumne lagi aur dekhte hi dekhte uss ray ne ek magical door ka roop le liya jiske
dusri taraf Secrilla ki wahi sarhad thi jahan unhe jana tha Avantika aur Ronit uss door se
hote hue dusri taraf chale gaye unke cross karte hi door band ho gaya

Ronit:- ab toh batao ki hum yaha kyu aaye hain aur jab hume Secrilla jana hai toh tumne
mujhe yaha forest ke bahar kyu door ki opening rakhne ke liye kaha?

Avantika:- Vj ke theek hone ka solution hume Secrilla ke andar hi milega

Ronit:- yaha kaise?

Avantika:- mercia river yaad hai Vj pichle 7 mahino se mercia river ke andar ghanton tak
dhayan awastha me baithata hai aur mujhe lagta hai ki mercia river ke paani se hi Vj apne
andar ke shaitan ko negetive energy ko control karne me kaamiyab hua hai samjhe

Ronit:- kuch kuch?

Avantika:- baaki ka bhi samjh jaaoge uske liye hume mericia river ke paas jana hoga par
usse pehle hume hamare saamne jo Secrilla ki sarhad haiuske problem ko solve karna
padega

Ronit:- yaha kaisi problem?

Avantika:- ussi problem ki wajah se hi toh maine tumhe Secrilla ke andar door ki opening
rakhne se roka tha darasal Bhuvika aur Beelzebub ne iss forest ki sarhad ke charo taraf
apni shakti tarange failayi hui hai jaise hi humne sarhad cross kiya unhe pata chal jayega
Bhuvika aur Beelzebub ka naam sunkar pehle toh Ronit ko behad ghussa aaya par kuch hi
pal baad uska ghussa tension me badal gaya bhale hi Ronit Beelzebub aur Bhuvika se badla
lena chahta hopar wo ye bhi janta tha ki wo iss layak nahi hai apne josh ke chakkar me
pichli baar usne apni mohobbat kho di thi Ronit soch raha tha ki agar iss baar bhi usne
pichle baar jaisa react kiya toh shayad iss baar Avantika bhi naa bach paye aur wo apne
jaisi haalat apne bhai ka kaise hone de sakta tha aur issliye
Ronit:- wo dono bohat khatarnaak hain Avni hume wapas jana chahiye hum koi aur tarika
dhund lenge Ronit ki baat sunkar Avantika ke chehre par smile aa gayi

Avantika:- kya hua dar gaye

Ronit:- haan dar gaya par apne liye nahi Vj ke liye maine toh apna pyar kho diya par agar
tumhe kuch ho gaya toh main Vj ko kya mouh dikhaunga

Avantika:- tumhari yahi problem hai tum apni samjhdaari hamesha galat waqt par dikhate
ho

Ronit:- matlab?

Avantika:- matlab ye samjhdaari tumhe Anjali ke waqt dikhani thi aur jahan tak mera
sawal hai Bhuvika aur Beelzebub mera kuch nahi bigad sakte Ronit ko Avantika ki baaton
ka matlab samjh nahi paya wo isse figure out karne ki koshish kar hi raha tha ki

Ronit:- Avni Ronit ke mouh se Avantika ke naam ki cheekh nikal gayi aur wajah Avantika
ne ek dum casually chalte hue Secrilla ke sarhad ko cross kar diya tha

Avantika:- kya hua? chilla kyu raha hai? tere saamne hi toh hun abhi Ronit kuch kehta usse
pehle hi un dono ke charon taraf tez hawa chalne lagi ab tak jahan achi khaasi dhoop khili
hui thi waha ab halka andhera chaane laga aur tabhi do tez bijli Avantika se kuch door
saamne giri jise do kaale dhuen ke gubaar uthe aur jab wo gubbar chaten toh Ronit aur
Avantika ke saamne Beelzebub aur Bhuvika khade the un dono ko apne saamne dekh
jahan Avantika normal hi rahi wahi Ronit ke mann main dar ne ghar kar liya wo tezi se
aage aaya aur Avantika ke saamne khada ho gaya par Avantika ne usse kandhe se pakad
side me kar diya

Bhuvika:- socha nahi tha ki itni jaldi tujhe maarne ka mouka milega

Avantika:- sidhe mujhse request kar leti main pehle hi tere saamne aa jati aapko yaad
hoga doston ke Bhuvika ne Asmodeus se Avantika ko maarne ki baat kahi thi aur
Asmodeus ne usse kuch kaha tha jiske baad Bhuvika aur Beelzebub gaayab hokar kahi
pahunche the aur ek spell bola tha wo dono yahi aaye the Asmodeus ne unse kaha tha ki
ek naa ek din Avantika yaha zaroor aayegi aur jab aisa ho tab wo Avantika ko maar sakte
hain issliye Beelzebub aur Bhuvika yaha aaye the taaki iss jagah ko apni shakti tarango se
baandh sake jise jab bhi Avantika yaha aaye toh unhe pata chal jaye

Bhuvika:- naa tere paas koi shakti hai aur naa hi koi aur taakat fir bhi itna ghamand
Beelzebub:- par kuch hi shano baad jab tu zamin par giri mout ke kagaar par hogi tab teri
saath saath tera ghamand bhi khatam ho jayega

Avantika:- tune thek kaha Bhuvika ki mere paas koi shakti nahi par mujhe kisi taakat kisi
shakti ki zaroorat bhi nahi hai janti hai kyu kyu ki main khud ek shakti hun aisi shakti jise
takrane ki aukaad tere bas ki nahi hai aur Beelzebubjab tera baap mujhe nahi maar sakta
toh tu kis khet ki muli hai apne father ke bare me sun Beelzebub ko ghussa aa gaya uske
haath me current rays dikhne lage par isse pehle ki wo un rays ko Avantika par chhodta

Ronit:- tum dono ko jo karna hai mere saath karo par Avantika ko chhod do Ronit ki awaaz
me ek laachari thi jise mehsoos kar Bhuvika aur Beelzebub hans diye

Bhuvika:- teri awaaz me ek akad hua karti thi wo kaha gayi?

Beelzebub:- lagta hai iski premika ke saath saath iski akad ne bhi dum tod diya Bhuvika
aur Beelzebub ki baat sunkar Ronit ko bohat tez ghussa aaya par Avantika ki khaatir wo
apne ghusse ko pi gaya

Avantika:- isse pyar fikr kehte hain naa layakon par tumhare jaise gawaar ye nahi samjh
sakte aur jis akad ki tum baat kar rahe ho naa chalo tumhe usse bhi mila dete hain
Avantika ki baat sun Ronit kuch kehne hi wala tha ki Avantika ne apna ek haath Ronit ke
sar par rakha aur agle hi pal Avantika ki aakhen band ho gayi shaktiyem sthaanantaram
power transfer Avantika ke mouh se spell sun Ronit ko jhatka laga par isse pehle ki wo koi
pratikriya de paata ahhh Ronit ke mouh se ek halki karah footi aur agle hi pal uska sharir
vibrate hone laga jaise hi Ronit ka shirir vibrate hone laga Avantika ne apna haath uske
sar se hata liya aur apni aankhen khol di Avantika ke haath hatate hi Ronit ke vibrations
khatam ho gaye par

Ronit:- ye sab abhi kya hua? aur muje mera sharir itna bhaari bhaari sa kyu lag raha hai

Avantika:- Ronit ke kaan me abhi ke liye itna jaan lo ki tumhare andar in dono se kayi guna
zyada shaktiyan hain par sirf kuch hi minutes ke liye issliye jo bhi ghussa tumhare andar
in dono ke liye hai wo in dono par nikal do par yaad rahe inhe jaan se nahi maarna abhi
iska waqt nahi aaya jahan Ronit aakhon me hairat liye Avantika ko dekhe jaa raha tha wahi
Beelzebub aur Bhuvika aaram se khade the unhe laga ki Avantika kuch bhi karle par un
dono ka kuch bigad nahi sakti

Avantika:- tumhe sab pata chal jayega par abhi tumhare paas zyada waqt nahi hai
tumhare andar ki shakti ko tum zyada der tak control nahi kar paaoge issliye waqt rehte
unka istemaal kar lo ab Ronit ne bhi baaki ki bataon ko baad ke liye taal diya aur Bhuvika
aur Beelzebub ki taraf palta par iss baar Ronit ke chehre par bebasi nahi baki aatma
vishwas tha

Ronit:- bohat taakat hai naa tum dono ke andar chalo aaj tum dono ko main tumhari aukat
dikhata hun

Beelzebub:- arre iski akad toh wapas aa gayai lagta hai ahhh isse aage Beelzebub kuch keh
nahi paya toh hua ye ki Ronit ne ghur kar Beelzebub ko dekha Ronit ke aankhon se ek
adrishya par bohat hi strong ray nikli aur Beelzebub ki taraf badhi Beelzebub toh Ronit ko
bohat lightly le raha tha issliye usne zyada dhayan nahi aur un adrishya rays ne Beelzebub
ko lapet liya aisa hote hi Beelzebub ke sharir ko ek tez jhatka laga aur wo tadapne laga
Beelzebub se Bhuvika judi hui thi Beelzebub ke dard se usse bhi taklif hui par khud ko
control me rakh Bhuvika ne ek anergy beam Ronit ke upar chhoda uss energy beam ki
speed aur taakat bohat zyada thi isse pehle ki Ronit kuch karta boomm wo beam Ronit ke
chest ke beech takraya aur aisa hote hi ek tez dhamaka hua dhamaka dekh Bhuvika ke
chehre par ek smile aa gayi par agle hi pal dhamake se faila dhua turant gayab ho gaya
aur jab vision clear hua toh saamne ka nazara dekh Bhuvika ki aankhen hairat se faile gayi
Ronit aur uske piche Avantika araam se muskurate hue khade the us energy beam se un
dono ko koi nuksaan nahi hua tha Bhuvika ne zamin aur hawa ka awaha kiya aur dono ki
shakti se ek ray banakar Ronit ke upar chhod di Bhuvika ke last prahar se Ronit ko apne
andar ki shaktiyon ka knowledge ho gaya tha issliye iss baar jab Bhuvika ne uspar waar
kiya toh Ronit ne bas apna haath aage kiya aur Bhuvika ki taraf chalne laga Bhuvika ke
chhoda gaye ray ne jaise hi Ronit ke hatheli se chua wo gayab ho gaya zamin par pada
Beelzebub aur uske baaju me khadi Bhuvika ye sab dekh chonk gaye

Ronit:- bas itna hi dum hai bohat ghamand hai naa tum dono ko apni shaktiyon par ye
dekho avarta shaktiyemm lock the powers Ronit ke spell bolne ke baad kuch nahi hua aur
aisa hote dekh Bhuvika hasne lagi Beelzebub bhi ab khada ho chuka tha aur uske chehre
par bhi khilli udane wali hasi thi par agle hi pal Bhuvika aur uske saath Beelzebub ke chehre
ke expressions badal chuke the hasi ki jagah shock ne le li thi wahi ab Ronit ke chehre par
muskurahat thi toh hua ye ki Beelzebub ne haste haste hi ek spell bol apna haath aage
kiya par kuch bhi nahi hua Beelzebub ke spell ne kaam hi nahi kiya Beelzebub ke baad
Bhuvika ne bhi ek ghaatak spell uchharit kar apna haath aage kiya par Beelzebub ki hi
tarah Bhuvika ka spell bhi kaam nahi kiya jahan ye dekh wo dono shock me the wahi Ronit
aur Avantika ke chehre par smile thi
Avantika:- tumhare paas zyada waqt nahi hai Ronit jaldi karo Ronit ko bhi apna sharir
wapas halka halka vibrate hote mehsoos ho chuka tha issliye Ronit ne apne dono haath
aage kiye aur udvahani vibhada rope of pain Ronit ke haath se do chamakte hue rope ki
shakal liye rays nikle aur agle hi pal un rays ne Beelzebub aur Bhuvika ko lapet liya aur aisa
hote hi ahhh Beelzebub aur Bhuvika ke mouh se behad dard bhari cheekhen gunjane lagi
ye cheekhen itni zyada tez thi ki pura Secrilla forest un dono ki awaaz ko mehsoos kar raha
tha

Ronit:- jante ho ye kaisa dard hai jo tum dono mehsoos kar rahe ho? ye dard un logon ka
hai jinhe tum dono ne aaj tak maara hai ya tadpaya hai tum dono wahi dard mehsoos kar
rahe ho jo tumne nirdosh logon ko diya hai Beelzebub aur Bhuvika dono hi Ronit ki awaaz
sun toh rahe the par un dono ki samjhne ki shakti lagbhag khatam ho gayi thi un dono ki
shakti bandh zaroor gayi thi par thi toh wo un dono ke paas hi dard ki atyadhikta se
Bhuvika aur Beelzebub ke sharir jagah jagah se fat rahe the par unki shaktiyon ki wajah se
unke sharir wapas theek bhi ho jaa rahe the sharir ke fatne aur fir wapas thek hone ki
kriya ke beech Beelzebub aur Bhuvika ka dard itna zyada tha ki un dono ki aakhen band
hone lagi wahi un dono ke saamne khade Ronit ki body bhi ab bohat zyada vibrate kar
rahi thi Ronit ke sar par behoshi chaane lagi thi par Ronit khudko sambhale hua tha wo
janta tha ki uska spell tab tak hi kaam karega jab tak Ronit hosh me hai tabhi ek saath do
chizen hui

Pehli:- Beelzebub aur Bhuvika ke sharir ko ek tez jhatka laga aur dono gayab ho gaye

Dusri:- un dono ke gaayab hone ke agle hi pal Ronit bhi behosh hokar girne laga par uske
neeche girne se pehle hi Avantika ne Ronit ke sar ke neeche apna haath rakh diya uske
baad Avantika ne apna dusra haath Ronit ke sar ke upar rakha Ronit ke sar se hote hue
wo shaktiyan jo Avantika ne usse di thi wo wapas Avantika me sama gayin kuch der tak
Ronit behosh hi raha par fir dheere dheere uski aankhen khul gayi hosh me loutne ke baad
bhi Ronit ko kuch der laga apni situation ko samjhne me aur jab Ronit ne Avantika ko
dekha toh uske dimag me kuch der pehle hui saari ghatnayen ghumi aur wo ek jhatke me
khada ho gaya kuch der tak Ronit ek tak Avantika ko dekhta raha uski aankhon me bohat
se sawal aa jaa rahe the wahi Avantika bhi Ronit ki haalat samjh rahi thi par wo chup thi
Ronit ke bolne ka intezar kar rahi thi kuch der tak Avantika ko dekhne ke baad Ronit ke
honth hile

Ronit:- kaun ho tum?

Avantika:- main Avantika hi hun Ronit


Ronit:- fir tumhare andar itni shaktiyan par isse aage Ronit kuch bol nahi paya bolna
chhodo uska toh dimag hi fuse ho chuka tha Ronit ke sawal khatam hone se pehle hi
Avantika ke baaju me teen tez roshniyan hui aur jab wo roshniyan kam hui toh waha par
teeno God's messenger khade the

Avantika:- maaya vaakya m magical words iss spell ka use pehle bhi ho chuka hai ek baar
St Sebastian ke dwara aur ek baar Vikram dwara iss spell ko apne secrets kehne se pehle
bola jata hai isse koi bhi bahar ka banda uss secret baat ko chaah kar bhi sun nahi paata
Ronit teeno messengers ko dekh hi raha tha ki

St Sebastian:- abhi ke liye hamari Lord of Angels Avantika hi hain

Planet: Monslickel

Place: Asmodeus palace

aao aao mere bachon mera sar fakr se uncha karne ki kaisi shabashi dun? Asmodeus ke
iss baat ya fir ye kahu ki uske taunt ko sunkar uske saamne khade Bhuvika aur Beelzebub
ka sar sharm se jhuk gaye asal main Beelzebub aur Bhuvika khud gaayab nahi hue the
balki unhe Asmodeus ne gaayab kar apne paas bula liya tha

Asmodeus:- kya hua? sar jhukayee kyu khade ho? apni naakami me sharm aa rahi hai yaa
apne ghamand ke tootane par? par Bhuvika aur Beelzebub ab bhi bina ek shabd kahe apna
apna sar jhukaaye khade the Asmodeus un dono ke mann main umad rahe sawalon ko
ache se padh paa raha tha issliye

Asmodeus:- apne sharm ka naatak chhod jo sawal tum dono ke mann main ufaan maar
rahe hain wo pucho ho dafa ho jaao mere saamne se iss baar Bhuvika aur Beelzebub ne
dheere dheere sar upar uthaya aur

Beelzebub:- father aapse toh kuch bhi chhupa nahi hai ye jo bhi hua wo kaise ho sakta
hai? hum dono milkar bhi Ronit ka saamna nahi kar paye

Bhuvika:- hum dono hi Ronit ke saamarthya se parichit hain usme itna dum nahi ki hume
hara sake aur wo bhi itni sahajta se ho naa ho ye sab uss Avantika ne kiya hai par kaise?
uske paas itni shakiyan kaha se aayin? aisi shaktiyan jinka saamna karna toh door hum
uske saamne kuch shan bhi khade tak nahi reh paye

Asmodeus:- ye toh main bhi janana chahta hun ki Avantika ke paas itni shaktiyan aayin
toh aayi kaise? Asmodeus ki baat sunkar Bhuvika aur Beelzebub ko jhatka laga aisa kuch
jise Asmodeus anjaan ho wo bhi tab jab usne khud Bhuvika aur Beelzebub ko Avantika
dwara Ronit ko diye shakti se ladhte hue dekha tha ye baat unhe hazam nahi ho paa rahi
thi

Beelzebub:- aapko nahi pata father? par ye kaise ho sakta hai?

Asmodeus:- iss bramhaand ka ek maatr sach yahi hai ki yaha kuch bhi ho sakta hai khaas
karke tab jab kisi baat kisi vishay me main aur Vikram jude hue hon

Beelzebub:- par yaha baat toh Avantika ki hai naa

Asmodeus:- Vikram aur Avantika ek hi dhaage me piroye do moti hain Avantika ke paas
beshak koi maayavi ya aloukik shakti nahi hai par usse iski zaroorat hi nahi hai jab tak
Vikram jeevit hai tab tak Avantika ek abedhya kile ki tarah hai jise bheda nahi jaa sakta
Asmodeus ke mouh se Avantika ki taarif sunkar Beelzebub aur Bhuvika dono ko acha nahi
laga

Beelzebub:- father Avantika ne aapka bhi apmaan kiya tha usne kaha ki

Asmodeus:- jab tera baap mujhe nahi maar sakta toh tu kis khet ki muli hai Beelzebub ki
adhuri baat Asmodeus ne puri kar di

Bhuvika:- ji devil lord usne aapka apmaan karne hetu inhi shabdon ka prayog kiya tha
Bhuvika aur Beelzebub ko laga ki ab Asmodeus bhadkega par jo baat Asmodeus ne kahi
usse sunkar dono ko ek aur jhatka laga

Asmodeus:- sach kadwa hi hota hai aur sach ko kabhi apmaan ki shreni me nahi rakha jata
Avantika ne jo kaha wo shat pratishat satya hai aur satya se lajjit nahi hua jata

Beelzebub:- par father aapne toh Isla me Avantika ke sharir me shakrun vish ko
sthanantarit (transfer) kiya tha naa

Asmodeus:- ye yaad raha ki maine Avantika ke sharir me vish milaya tha kintu ye yaad
nahi raha ki kin paristithi yon me main aisa karne me kaamiyab hua tha uss waqt Vikram
ka sharir murchit tha itna hi nahi uski aloukik shaktiyan bhi uske sharir se nikalte rakht ke
saath kamzor padh gayi thi issliye uss waqt Avantika ka kawach jo usse paida hote saath
hi mil gaya tha wo bhi kamzor ho gaya tha aur issliye main uske sharir me vish daal paya
tha par abhi aisa kuch bhi nahi hai iss waqt Avantika ke paas naa sirf uske khud ka abhedya
surakhsa kawach hai par uske saath saath Vikram ki apaar shaktiyan bhi usse judi hui hain
aise me usse maarna toh door haani pahunchana bhi asambhav hai
Bhuvika:- agar aisa hai toh jab humne Avantika ko maarne ki baat kahi toh aapne hume
mana kyu nahi kiya?

Asmodeus:- ek aam ladki se tumhe itni shakti shaali bana diya uske baad bhi tumhari
murkhata bhare faislon ko main thek karta rahun? Avantika ko agar haani pahuchaya jaa
sakta toh tumhare kahne se pehle hi maine tumhe aisa karne ke liye keh diya hota par
tum dono hi itne murkh ho ki jab tak saari baat kisi bacche ko samjhaane ke jaise hi tumhe
bhi naa samjhaya jaye tab tak tumhara mastishk sunya hi rehta hai jitni haani tum Vikram
ko pahucha sakti thi utni pahuncha chuki ho isse zyada tum kuch nahi kar sakti par ye baat
tumhari buddhi me pravesh hi nahi karti toh main kya kar sakta hun jahan Asmodeus ki
baat sunkar ek baar firse Bhuvika ka chehra sharm se jhuk gaya tha wahi Beelzebub ke
dimag me ek dusre sawal ne janm le liya tha aur jaise hi Asmodeus ne apni baat khatam
ki tabhi

Beelzebub:- father? kya main kuch puch sakta hun? Asmodeus ko Beelzebub ke sawal ke
bare me pata tha fir bhi usne uske sawal ko sunne ke liye apne sar ko ek halki si jumbish
di

Beelzebub:- hume satya se parichit karane ke liye aapne hume Avantika ko maarne ke liye
haan kaha kintu aapne Secrilla hi kyu chuna aisa karne ke liye? aur Avantika waha kar kya
rahi thi? Asmodeus toh Beelzebub ke puche gaye sawal ke bare me pehle se janta tha
issliye wo normal hi raha par par Bhuvika iss sawal ko sun jigyasa bhari nazro se Asmodeus
ke taraf dekhne lagi

Asmodeus:- pichle saath mahino se Vikram puri raat Secrilla me mercia river ke paani ke
upar dhayan awastha me bitata aaya hai aur praatah hote hi wo ussi paani ke andar chala
jata hai dobara dhayan me baithne ke liye mujhe janana tha ki wo aisa kyu karta hai?
Vikram ke saath jo hua hai usse kewal Avantika hi janti hai aur uske upar wo Vikram ki
shakti bhi hai mujhe andesha tha ki ek naa ek din Vikram ke piche piche Avantika bhi
zaroor Secrilla pahunchegi issliye maine tum dono ko uss jagah par apni shakti tarange
chhodne ko kaha tha jise jab bhi waha koi aaye toh tumhe pata chal jaye

Beelzebub:- Vikram mercia river ke upar aur bhitar dhayan lagata hai iska kaaran jaanna
aapke liye toh maamuli baat hai father aur khaas kar tab jab aapka khoon Vikram ke bhitar
hai unke dimag me chal rahi saari baatein toh aapko aapke khun ki wajah se pata chal hi
jati hongi

Asmodeus:- yahi toh samasya hai pehle kuch din tak main uski har soch padh paa raha tha
par jabse wo mercia river ke andar dhayan lagane baitha hai tab se main aisa karne me
asamarth hun kisi tarah Vikram ne apne vicharon ko apne dimag me aane se rokne ki kala
sikh li hai

Bhuvika:- agar ye sab mercia river ki wajah se hua hai toh hume uss river ko hi khatam kar
dena chahiye naa rahega baans naa bajegi baasuri Bhuvika ki baat sunkar Asmodeus ko
hasi aa gayi

Asmodeus:- jao ye bhi karke dekh lo par ek baat yaad rakhna iss baar main tumhe nahi
bachaunga Asmodeus ki baat sunkar Bhuvika ko apni galti ka ehsaas hua usse yaad aaya
ki wo firse wahi galti kar rahi hai jo usne Avantika ke waqt ki thi bina sach jane faisla lene
ki galti jab Asmodeus ko gyaat hua ki Bhuvika ko apni galti ka ehsaas ho gaya hai tab usne
aage kehna shuru kiya

Asmodeus:- Vikram ke mercia river me dhayan lagaane ke baad se hi uss river ke charon
taraf ek abhedya kawach ban gaya hai ek aisa kawach jise bheda nahi jaa sakta har din jab
tak Vikram uss river tak nahi pahunchta main usse dekh paata hun par jaise hi wo uss river
ke paani ko chhuta hai mujhe Vikram dikhna band ho jata hai iss gutthi ko sidhi tarah
suljhaya nahi jaa sakta issliye maine Avantika ka sahara lene ki sochi maine socha tha ki
jab tum dono uske saamne jaaoge toh tumhari aakhon se main waha ka saara drishya
dekh paaunga par aisa ho nahi paya Avantika ke paas maatra khudko aur apne aas paas
walon ko bachane ke liye ek surakhsha kawach tha par aakarman shakti ka uske paas hona
ab ek nayi paheli ban gayi hai tum dono ko waha se waapas lane ke baad mujhe waha ka
drishya dikhna bhi band ho gaya hai

Beelzebub:- toh ab?

Asmodeus:- samay ek naa ek din samay sabhi raazon se parda utha hi deta hai iss raaz se
bhi aaj nahi toh kal parda uth hi jayega

Bhuvika:- ab hamare liye kya aadesh hai?

Asmodeus:- yahi ki dobara apni murkhta ka parichay mat dena jaa sakte ho Bhuvika aur
Beelzebub ne sar ek baar firse Asmodeus ke aage jhukayea aur gaayab ho gaye

Asmodeus:- aisi chaal ko kaise roka jaye jo dikh hi nahi raha?

Planet: Earth Place: Secrilla

janti hun ki baat thodi shocking hai par itne bhayanak reactions toh mat de apni baat bol
Avantika ne Ronit ke kandhe ko hilaya tab jaakar uska mouh band hua aur wo apni
khayalon ki duniya se reality me wapas aaya par ab bhi Ronit ek tak Avantika ko dekh raha
tha aur jo sach kuch der pehle st Sebastian ne usse bataya thausse hazam karne ki koshish
kar raha tha Avantika ka Ronit ko ye sach khud batane ki jagah St Sebastian ke mouh se
bulwane ka reason ye tha ki wo janti thi ki agar usne ye baat batayi toh Ronit vishwas nahi
karega baat jo itni badi thi issliye Ronit ke uski shaktiyon ke bare me sawal puchte hi
Avantika ne teeno messengers ko mann hi mann yaad kiya aur uske aisa karte hi God's
messengers waha prakat hue aur apni baat keh dobara gaayab ho gaye kuch der laga fir
jaise hi Ronit ne Avantika ke sach ko digest kiya par sawal toh uske mann main ab bhi the
issliye

Ronit:- par kaise? I mean ye koi exam toh hai nahi ki topper ne exam nahi diya toh koi aur
top kar lega Vikram Lord of Angels hai kyu ki wo parmeshwar putr hai par tum kaise?

Avantika:- janti hun iss baat ko digest karna mushkil hai par yahi sach haipar adhura sach

Ronit:- ab ye kya baat hui? adhura sach matlab

Avantika:- mere andar Lord of Angels ki saari urja hai par main unka Lord of Angels matlab
Vikram ki tarah istemaal nahi kar sakti

Ronit:- mujhe abhi bhi tumhari koi bhi baat samjh nahi aa rahi hai

Avantika:- do minute dimag aur mann dono ko shaant rakh meri puri baat sunsab samjh
me aa jayega Lord of Angels ki urja ka pura istemaal karne ke liye Vikram ke dimag jaise
dimag ki zaroorat padti hai ek aisa dimag jo kisi bhi insaan se carodon guna tez chalta hai
jiske andar ek second ke souve hisse me hi naa sirf bade se bade faisle lene ka hunar hota
haibalki uss faisle ko haqiqat ka roop dene ki shamata bhi hoti hai iss pure universe me
Vikram jaisa dimag sirf uske bhai ke paas hai aur kisi ke paas nahi par jaisa ki maine bataya
tha ki Courious me Asmodeus ne chhal se Vj ke dimag ko apne khoon dwara control me
kar liya tha Asmodeus ne Vikram ke dimag ko hi issliye nishana banaya kyu ki iske alawa
Asmodeus ke paas koi aur option nahi tha kyu ki koi bhi kaali shakti Vikram ko nuksaan
nahi pahuncha sakti balki har kaali shakti Vj ke sharir me sama kar white energy me tabdil
ho jati hai par jaise hi Asmodeus ka khoon Vj ke dimag me pahuncha uss khoon ne Vj ke
dimag ko dheere dheere apne bas me karna shuru kiya jaise jaise Asmodeus ke khoon ka
asar Vj ke dimag me hone lagawaise waise Vj ki urja uski pehchaan usse door hone lagi
par jaisa ki maine batayaVj ka dimag ek second se bhi kam waqt me bade se bade faisle
le sakta hai toh Vj ne apne dimag par Asmodeus ke haawi hone se pehle hi turant ek faisla
liya isse pehle ki Vj ki urja usse door jati usne uss urja ko mere andar transfer kar diya
Ronit:- yahi toh mera main do questions me se ek hai tum itni badi shakti ko kaise sambhal
paa rahi ho mujhe uss shakti ke bas ek halke se ansh ko kuch der sambhalne me itni taklif
hui aur tum uss shakti ko pichle 7 mahino se lagatar sambhal rahi ho? kaise?

Avantika:- kyu ki mera janm hi issliye hua hai main naa sirf Vikram ki shakti hunbalki wo
tijori bhi hun jisme Vikram apni shaktiyan rakh sakta hai mujhe bhi iss baat ka pata nahi
tha jab Vj ne apni shaktiyan mujhe sounpi tab mujhe iss baat ka pata chala

Ronit:- my goodness jis waqt Asmodeus ka khoon Vj ke dimag ko apne kabze me kar raha
tha uss waqt bhi Vj ne itne aage ka soch liya tha

Avantika:- itna hi nahi Vj ne kisi tarah bina apne dimag pe zor daale ye bhi pata kar liya ki
mercia river me wo apne dimag ko niyantrit kar sakta hai

Ronit:- par ye usne kaise kiya?

Avantika:- yahi toh pata lagane hum yaha aaye hain shayad isse ye bhi pata chal jaye ki Vj
ke dimag se Asmodeus ke khoon ko kaise nikal jaye

Ronit:- hmm par ek sawal reh gaya

Avantika:- yahi naa ki jab main Vj ki shaktiyan istemaal nahi kar sakti toh maine tumhare
andar uski shaktiyon ki urja kaise chhodi

Ronit:- haan

Avantika:- Vj ki urja samandar ki tarah hai aur samandar se ek jug paani nikalne se
samandar ko koi fark nahi padta thek waise hi maine Vj ki urja ka ek maamuli sa bhaag
tumhare andar transfer kiya wo bhi kuch samay ke liye ab ek bank ke paison ko uska
branch use toh kar hi sakta hai naa Avantika ki baat sunkar Ronit aur khud Avantika hans
diye

Ronit:- toh ab?

Avantika:- hume mercia river ke paas jana hoga hamare problem ka solution wahi hai
Ronit ne mercia river ke saamne ke view ko yaad kar apna haath aage kiya Ronit aur
Avantika ke saamne ek magic door khul gaya jise hote hue dono mercia river ke bank ke
paas pahunch gaye mercia river jise divine river bhi kaha jata hai agar iss river ke bare me
yaad naa ho toh update 60 padh len

Ronit:- ab kya kare? par Avantika ne Ronit ki baat ka koi jawab nahi diya mercia river ke
saamne aate hi Avantika apne seene me haath rakh usse press kar rahi thi
Ronit:- kya hua Avni? are u alright?

Avantika:- hmm yaha aate hi main apne andar ek hulchal feel kar rahi hun aisa lag raha
hai jaise Vj ki urja bahar aana chahti hai

Ronit:- toh le aao bahar usse shayad koi clue mil jaye

Avantika:- main aisa nahi kar sakti Vj ki urja 1000 surya ke tej se bhi adhik shakti shaali hai
agar usse aise hi khula chhod diya jaye toh har taraf tabahi mach jayegi

Ronit:- par kuch toh karna padega naa main ek kaam karta hunpaani me utar kar dekhta
hun shayad paani ke andar kuch ho jise hume madad mile par Avantika ne Ronit ke
suggestion par kuch nahi kaha aur kuch sochne lagi kuch der sochne ke baad

Avantika:- apna ek pair aage badhao par dheere se Ronit ko Avantika ki baat ka matlab
samjh nahi aaya par usne filhal kuch nahi pucha Ronit aur Avantika iss waqt nadi ke chhor
se kuch kadam door khade the Ronit aage badha aur jaise hi usne apna ek pair paani me
rakhne ke liye badhaya ahhh dhoob paani se ek adrishya ray nikli aur uss ray ne Ronit ke
uss pair ko lapet liya jo paani me jane ke liye aage badha tha uss ray me bohat tez electric
current thi uske pair ko lapetet he hi Ronit ko ek tez jhatka laga jis wajah se uske mouh se
aah nikal gayi par wo ray yahi nahi ruki uss ray ne Ronit ko hawa me uthakar patak diya
Ronit ke neeche girte hi Avantika turant uske paas pahunch gayi

Avantika:- Ronit tum thek ho

Ronit:- kya pata? saala body me abhi tak jhatke lag rahe hain kuch der tak ussi position
me pade rehne ke baad Ronit khada ho gaya

Avantika:- hmm mujhe laga hi tha ki aisa kuch hoga

Ronit:- toh kurbaani ke liye main hi mila tha kya?

Avantika:- maine toh tumhe pehle hi kaha tha ki yaha khatra hai aur ye jo hua wo toh bas
ek sample thaasli khatra toh paani ke andar hai

Ronit:- par saala ye tha kya?

Avantika:- Vj ke yaha dhayan lagane ki wajah se uske sharir se nikalne wali tarangon se ye
puri jagah ek adrishya suraksha ghere me badal gayi hai oh shit ye main kaise bhul gayi
Avantika ko achanak jaise kuch yaad aaya tha

Ronit:- kya bhul gayi


Avantika:- toh issliye Vj yaha aata tha

Ronit:- tu kya bole jaa rahi hai mujhe bhi kuch batayegi ki tu kis bare me baat kar rahi hai?

Avantika:- mercia river ke asli prabhav ke bare me aaj bhi agar kisi pavitra cheez ko iss
paani me dubaya jaye toh iski divyata uss cheez me chali jati hai Vj God ka beta hai usse
zyada pavitra aur kaun hoga? Vj ke iss river ke andar lagatar jane se iss paani ki divyata
bhi Vj ke andar lagatar jaa rahi hai aur ussi divyata ke prabhav se Vj ke dimag me moujud
Asmodeus ke khoon ka asar kam ho gaya hai ya fir Vj khudko control kar paane me
kaamiyab ho paa raha hai par saath hi Vj ki dhayan shakti ki wajah se uske alawa iss paani
me koi nahi ghus sakta

Ronit:- matlab hamara yaha aana waste ho gaya

Avantika:- bilkul nahi yaha aayen hain toh koi naa koi solution toh lekar hi jayenge

Ronit:- par kaise?

Avantika:- tere saath iss paani me Vj bhi jayega?

Ronit:- tu bhale hi Vj ki puri shaktiyon ko use nahi kar sakti par tu aaj kal bilkul uske jaise
hi ghuma firakar baat karne lagi hai Ronit ki baat sunkar Avantika muskura uthi

Ronit:- ab muskurana chhod aur bata ki kya kare? par iss baar bhi Avantika ne kuch nahi
kaha bas apne dil par haath rakh aakhen band kar li Avantika ke aisa karte hi uske dil wali
jagah par ek tez roshni hui aur uss roshni ke beech safed dhuen ki shakal lekar ek aakriti
ban gayi uss aakriti ke bante hi Avantika ki aankhen khul gayi Avantika ki aankh khulte hi
Ronit usse kuch puchna chahta par usse pehle hi

Avantika:- ye Vj ki urja hai shayad isse kaam ban jaye Ronit ko ab bhi Avantika ka plan
samjh nahi aaya tha par isse pehle ki wo Avantika se kuch puchta Avantika ne uss aakruti
ya fir ye kahu ki Vj ki urja ko Ronit ki taraf ishara kiya aur agl hi pal

Ronit:- ye kya hai? isne mujhe gher kyu liya hai? toh hua ye ki Avantika ke ishara karte hi
uss urja bhari aakruti ne Ronit ko charo taraf se gher liya aisa lag raha tha maano Ronit ne
uss aakruti ko odh liya hai uss aakruti ne Ronit ko charon taraf se ghera zaroor tha par
usse chua nahi tha aur wajah Vj ki urja ka touch Ronit bardasht nahi kar paata

Avantika:- ab paani ki taraf jaa shayad ab tujhe kuch naa ho

Ronit:- shayad Avantika ne apne kandhe uchka diye


Ronit:- saali ye dosti kya kya karwati hai? Ronit ne ek lambi saans chhodi aur paani ki taraf
chal pada uske saath saath hi usse cover kiye hue Vj ki urja atmak aakruti bhi chal rahi thi
aur jaise hi Ronit ne paani me apna pehla kadam rakha uski khushi ka thekana nahi raha
reason iss baar usse kuch nahi hua tha usne palat kar Avantika ki taraf dekha jiske chehre
par bhi iss waqt santushti ke bhaav the

Avantika:- Ronit tumhe nadi ke beech jana hai aur waha se exact neeche ki taraf tairna
hai Vj ussi jagah par paani ke gehraayi ke last point par dhayan lagata hai

Ronit:- wo jagah kitni gehraayi me hai?

Avantika:- exact toh nahi keh sakti par near about 150 to 200 feet kya tum ye kar paaoge?

Ronit:- haan training ke waqt ladhte hue bhi 30 minute tak toh main saans rok leta tha
mere khayal se utna time kafi waha jaakar waapas aane ke liye par waha last point par
jaakar main karunga kya?

Avantika:- ye toh mujhe bhi nahi pata par itna guaranttee ke sath keh sakti hun ki waha
tumhe koi na koi kaam ki cheez zaroor milehgi agar tumhe kuch important lage toh usse
apne saath le aana

Ronit:- thek hai ye bol Ronit paani ke andar jane ke liye palta hi tha ki

Avantika:- Ronit waha andar kuch bhi ho sakta hai ye mat bhoolna ki waha Vj kyu jata hai
Asmodeus ki shaktiyon ke presuure ko control karne ke liye issliye waha neeche zarror Vj
ki dhayan ki urja se nikalne wali shaktiyon ke saath saath Asmodeus ki wo shaktiyan bhi
nikal kar moujud hongi jise Vj ne khud ko control karne se rok rakha hai aur wo shaktiyan
behad khatarnaak ho sakti hain issliye dhayan se

Ronit:- mere saath toh Vj ki urja hai mujhe kuch nahi hoga?

Avantika:- exactly tumhare saath Vj ki urja hai issliye Asmodeus ki shaktiyan tumhara
sidhe taur par kuch bigaad nahi payengi par wo chup bhi nahi baithengi isliye apna dimag
khula rakhna kuch bhi ho jaye thande dimag se soch kar faisla karna aur koi bhi important
ya kuch alag si chiz dikhe toh usse apne saath le aana Ronit ne ssr haan me hilaya aur
wapas mud paani me dive laga di

Avantika:- God please help him jahan Avantika apne finger cross karke idhar udhar
bechaini se wahi tahalne lagi
Ronit:- wow yaar kitna saaf paani hai Ronit paani me tairta hua aage badha aur kuch hi
der me wo mercia river ke beech me tha centre me pahunch Ronit ne apni saans kheenchi
aur agli hi pal Ronit ka sharir paani ke andar tha mercia river ko beech se chirta hua Ronit
ka sharir neeche ki taraf jaa raha tha neeche jaate jaate paani ki shudhta aur swachata ko
nihaarta hua Ronit mann hi mann iss paani ki duniya ki taarif karte karte aage badh raha
tha Ronit aadhe se zyada safar tay kar chuka tha Ronit ne aakhon se dekhne ke range ko
bhi badha liya tha Ronit bina koi tension apne manzil ke kareeb pahunch hi raha tha ki

Ronit:- arre itne saaf paani ke beech ye maila bawandar kaisa? toh hua ye ki Ronit ab paani
ke last point se kuch feet hi door tha ki usse apne niche ek jagah ek bawandar dikha jiska
colour mitti ki tarah tha Ronit sidhe uss bawandar ke paas naa jaate hue uss bawandar
wali jagah ke thoda right side jaakar ruk gaya aur uss bawandar ko dhayan se dekhne laga
kuch hi seconds me Ronit ko uss bawandar ke bare me pata chal gaya jise figure out karte
hi wo shock ho gaya

Ronit:- oye teri ye bawandar nahi machliyan hain kuch yaad aaya dosto ye wahi machliyan
hain jo Vj ke dhayan lagate waqt usse ghere rehti thi aur iss waqt wo saari machliyan ek
bohat bada jhund banakar uss jagah ke tezi se chakkar kaat rahi thi jis jagah par Vj baith
kar dhayan lagaya karta tha un machliyon ka colour halka mitti jaisa tha jis wajah se unke
ghumte waqt wo mitti se uthne wale bawandar ki tarah dikh rahe the jaise hi Ronit ko
pata chala ki uske saamne ghum rahi cheez bawandar nahi machliyan hain toh wo un
machliyon ke paas jane laga par tabhi machliyan jo bohat tezi se ek hi jagah par gol gol
ghum rahi thi unhe ye abhaas ho gaya ki koi unke paas aa raha hai aur agle hi pal un saari
machliyon ne ek naya formation banaya dekhte hi dekhte un machliyon ne ek diwal ka
roop le liya aisa lag raha tha maano wo machliyan Ronit ko aage badhne se rok rahi hon
Ronit ye sab dekhkar shocked ho gaya par abhi uske paas zyada der tak shock me rehne
ke liye time nahi tha issliye wo aage badhne laga Ronit ko naa rukta dekh un machliyon
me se kuch machliyon ne teer ka formation le liya aur agle hi pal kamaan se chhute teer
ki gati se hi wo machliyan Ronit ki taraf aane lagi par Ronit ne kuch bhi nahi kiya wo ek
jagah par sidha hokar ruk gaya aur tabhi paani ke andar hi bijli si chamki aur agle hi pal
wo saari machliyan jo Ronit ko maarne aa rahi thi wo mar chuki thi toh hua ye ki Ronit se
takraane se pehle hi un machliyon ko Vj ki uss urja se takrana pada jo iss waqt adrishya
thi Vj ki urja se takraate hi wo saari machliyan mar gayin aur agle hi pal ussi urja se jo iss
waqt Ronit ko ghere hue thi ek tez ray nikli aur jaakar saamne khadi machliyon ke diwal
se takraayi iss prahar se aadhi se zyada machiyon ne dum tod diya aur baaki ki machliyan
bhaag gayi ab saamne ka nazara ek dum saaf tha par jo chiz Ronit ke saamne aayi usse
dekhkar Ronit ko ek baar firse shock laga iss waqt uss jagah par jahan Vj dhayan ki awashta
me baiththa tha waha ek shark ki size ki machli baithi hui thi jiske sharir se halki halki
white light nikal rahi thi par sabse shocking baat ye thi ki ek bade shark ke size ki wo machli
jo iss waqt Ronit ke aankhon ke saamne thi wo asal me un choti choti machliyon me se ek
thi jo abhi thodi der pehle bawandar ka roop lekar gol gol ghum rahi thi

Ronit:- saala ye kya panga hai? zaroorat se zyada toh nahi khaa liya isne jo itni fail gayi ab
tak Ronit uss machli ko ghur kar dekh raha tha par tabhi uska dhayan apne charon taraf
faile urja ki taraf gaya jo ab dheere dheere visible hone lage the ab iss naye parivartan ko
Ronit samjhne ki koshish kar hi raha tha ki ummmm ek ajeeb si awaaz Ronit ke kaano se
takrayi ya fir ye kahu ki paani ke vibarations uske sharir se takraaye jise ye awaaz aa rahi
thi aur jab Ronit ne saamne dekha toh turant alert ho gaya reason wo shark numa machli
iss waqt Ronit ko hi dekh rahi ya fir ye kahu ghur rahi thi ussi ke sharir se ye vibrations
nikal rahi thi jise wo ajeeb awaaz bahar aa rahi thi un vibrations ka asar bohat zyada tha
agar Ronit ke charon taraf Vj ki urja nahi hoti toh wo un vibrations ki chapet me aa chuka
hota Ronit uss machli ke kareeb jane ki soch hi raha tha ki tabhi bijili ki tezi se wo machli
Ronit ki taraf badhi uski speed itni tez aur impactful thi ki uss puri jagah me me bhukamp
sa aa gaya isse pehle ki Ronit kuch react karta boom Ronittt ye awaaz Avantika ki thi jab
se Ronit paani ke andar gaya thatabhi se Avantika paani ke uss jagah ko ghur rahi thi jiske
exact neeche iss waqt Ronit gaya tha guzarte waqt ke saath Avantika ki bechaini badhti hi
jaa rahi thi ki tabhi paani ke beech ek tez blast hua iss blast se river ke beech ke hisse ka
paani kai meter tak upar uchal gaya aur issliye Avantika ke mouh se Ronit ki cheekh nikal
gayi thi wahi niche

Ronit:- haash bhala ho Vj ki urja ka bach gaya toh hua ye ki uss machli aur Ronit ke beech
Vj ki urja thi wo machli sidhi ussi urja se takrayi aur door jhitak gayi Ronit ko toh kuch bhi
nahi hua par impact bohat powerful tha jis wajah se dhamaka hua

Ronit:- arre arre ye saali toh fir se aa rahi hai boom boomm uss machli ne dobara Ronit
par hamla kiya par natija wahi nikla Vj ki urja se takrakar wo door jhitak gayi isse uss machli
ko ghussa sa aa gaya usne lagatar kayi baar Vj ki urja ko todne ki koshish ki par naa
kamiyab rahi par uske prayason se paani me kayi dhamake hue aur un dhamakon ka asar
paani ke bahar tak gaya bohat zyada maatra me paani bahar uchalne laga jise dekh
Avantika ki tension aur badh gayi Avantika ko iss baat ki koi tension nahi thi Ronit ko paani
ke andar kisi waar se koi nuksaan hoga usse pata tha ki Vj ki urja ko koi bhed nahi sakta
usse iss baat ki tension thi ki Ronit ke saath kisi prakar ka koi chhal naa ho jaye aur hua
bhi wahi kuch der tak lagatar attack karne ke baad wo machli ek jagah shaant khadi ho
gayi aur Ronit ki taraf dekhne lagi wahi jabse uss machli ne Ronit par hamla kiya tha tab
Ronit ne uske skin se nikalti white light ko dhayan se dekhe jaa raha tha uss white light
me bhi wahi urja thi jo iss waqt Ronit ko ghere hue thi par uss white light ke beech me
halki halki black lines bhi thi jise figure our karte hi Ronit samjh gaya tha ki ye lines actual
me kya hain? Asmodeus ke khoon se nikalne wali urja jise Vj ne control kiya tha Ronit ko
ye bhi andaza ho chuka tha ki ho naa ho iss machli ne Vj ki urja ko nigal liya hai par Vj ki
urja ke sparsh se hi isse mar jana chahiye tha par ye zinda hai aur wo bhi ek naye aur
vikraal roop dhaaran kar aur ye sab sambhav ho paya hai ussi negetive energy ki wajah se
jo Vj ki urja ko lapete hue thi uss energy ne uss machli ko naa sirf jeevit rakha balki usse
expand kar shakti shaali bhi bana diya pata nahi kyu par Ronit ko feel ho raha tha ki ho
naa ho issi machli se usse aur Avantika ko koi clue milega Ronit ye sab soch hi raha tha ki
tabhi paani ke andar hone ke baawajud Ronit uss paani ko rok nahi paya jo iss waqt uski
aankhon se nikal rahe the dil me ek tez dard ko jhelte hue Ronit apne saamne ke nazaare
ko dekh raha tha darasal baat ye thi ki jis jagah wo machli khadi thi iss waqt uss jagah
Anjali khadi thi Anjali Ronit ki mohobbat uski zindagi jise mout ne gale laga liya tha par iss
waqt wahi Anjali jo ki behad khubsoorat dikh rahi thi Ronit se kuch door uske saamne
khadi thi safed roshni se nahayi hui Anjali Ronit ki taraf dekhe jaa rahi thi Anjali ne apna
haath aage kiya maano Ronit ko apne paas bula rahi ho Ronit bhi kisi anjaani taakat se
vashi bhoot sa hokar Anjali ki taraf tair pada par tabhi Anjali ek baar firse Ronit ke mouh
se ye awaaz nikli par iss baar Ronit ki awaaz me khushi nahi dard tha ghussa tha reason
wo shark numa machli jo ki gaayab ho chuki thi wo firse prakat ho chuki thi aur iss waqt
wo Anjali ke charon taraf ghum rahi thi thek ussi tarah se jaise ek shark apne shikar ko
apne jabdon me jakadne se pehle uske charon taraf ghumti hai

Anjali:- mujhe bacha lo Ronit main firse tumse juda nahi hona chahti main marna nahi
chahti Ronit please mujhe bacha lo Anjali ki guhaar sunkar Ronit ka ghussa badh gaya wo
tezi se aage badha par isse pehle ki wo Anjali ya uss shark ke paas pahunchta Ronit ke
sharir ko ek jhatka laga aur wo ruk gaya usne phir koshish ki par naakamiyab raha usse
aisa lag raha tha ki uske saamne koi adrishya diwar ho jo usse aage badhne se rok rahi ho

Anjali:- ye Vj ki urja hai Ronit jo tumhe aage badhne se apni mohobbat ko bachane se rok
rahi hai mujh tak pahunchne ke liye tumhe iss Vj ki urja ko khud se alag karna hoga

Ronit:- par main ye karunga kaise?

Anjali:- dil se apni puri iccha se iss urja ko thukra do ye tumhe chhod kar chali jayegi fir
tum mujh tak pahunch mujhe bacha sakte ho aur uske baad sirf hum honge aur hamara
pyar hoga ahhh Anjali ke haathon se khoon nikal raha tha jise usse bohat zyada dard ho
raha tha toh hua ye ki Anjali ki baat khatam hote hi uss shark numa machli ne Anjali ke
haathon me apne daath gada diye par bas ek second ke liye aisa hote hi Anjali ek haathon
se khoon nikalne laga aur uske mouh se cheekh nikal gayi wahi Ronit Anjali ke baaton ke
bare me soch raha tha wo soch raha tha ki kya usse Vj ki urja ka tyag karna chahiye ki
tabhi uske kaano me Anjali ki cheekh gunji aur jab usne iss cheekh ki wajah dekhi toh uska
dimag ghum gaya usne soch liya ki wo Vj ki urja ka tyag kar dega Ronit apni aakhen band
kar Vj ki urja ko jane ke liye kehne hi wala tha ki

Anjali:- jaldi karo Ronit Vj ke wajah se hi hum dono alag hue the aur aaj bhi wahi hamare
beech diwaar ban raha hai iss diwar ko girakar apni Anju ko bacha lo Ronit aakhen band
kar Vj ki urja ka tyag karne hi wala tha ki itne me uske kaano me Anjali ki baat gunji aur
Anjali ki baat sunkar Ronit ki aankhen ek jhatke me khul gayi Ronit ek baat ache se janta
tha ki kuch bhi ho jaye Anjali Vj ke bare me kabhi kuch galat nahi bol sakti aur iss soch ke
Ronit ke dimag me ubharte hi usse Avantika ki kahi gayi baat yaad aayi Asmodeus ki
shaktiyan tumhara sidhe taur par kuch nahi bigad payengi par wo chup bhi nahi baithengi
issliye apna dimag khula rakhna

Ronit:- (mann main) oye teri ki matlab ye sab jhoot hai Ronit ne saamne dekha jahan Anjali
chilla chilla kar Ronit se Vj ki urja ka tyag karne ki request kar rahi thi

Ronit:- tum meri Anjali nahi ho sakti tum Asmodeus ki maaya ho main Vj ki urja ka tyag
nahi karunga nahi yaha Ronit ki baat khatam hui waha Anjali ki cheekh gunj gayi aur aisa
hote hi Anjali roshni me tabdil ho uske aas paas ghumte shark ke andar sama gayi Anjali
ke khudme samate hi uss shark ke body se ek baar fir vibrations nikle aur wo dugni tezi se
Ronit ki taraf lapki par ab Ronit ne iss khel ko khatam karne ka soch liya tha jaise hi wo
shark Ronit ke kareeb pahunchi Ronit ne ankhen band kar Vj ki urja ko shark ko lapetne
ke liye nivedan kiya aur agle hi pal ummm shark ke mouh se ajeeb ajeeb awaazen aane
lagi iss waqt shark ki puri body ko Vj ki urja ne khudme lapet liya tha aur dheere dheere
wo urja shark par kasne lagi thi jis wajah se shark ko taklif hone lagi aur wo awaazen karne
lagi kuch der tak aisa chalta raha par fir achanak boom iss baar ka dhamaka pehle se zyada
impactful tha par Vj ki urja ne uss dhamake ke impact ko observe kar liya jise Ronit ko koi
nuksaan nahi hua par phir bhi dhamake ki wajah se Ronit ne aakhen band kar li thi thodi
der baad jab Ronit ne aakhen kholi tab

Ronit:- ab ye kya bala hai? paas jaakar dekhta hun jahan kuch der pehle wo shark Vj ki
urja ke lapete me aakar tadap raha tha ab uss jagah par ek roshni jagmaga rahi thi aur
jaise hi Ronit uss roshni ke paas gaya usse ek naya jhatka laga wo roshni darasal ek paani
ke bulbule se aa rahi thi par Ronit ke shock hone ka reason wo paani ka bulbula nahi balki
uss bulbule ke andar ki chiz thi darasal uss paani ke bulbule ke andar kuch likha hua tha
aur jab Ronit ne uss likhawat ko gaur se dekha tob usse jhatka laga uss bulbule ke andar
likha tha Avantika par Ronit ne zyada nahi socha aur uss bulbule ke neeche apna haath
rakha Ronit ko ye dekhkar ek baar fir shock laga ki wo bulbula uske haathon me chipak sa
gaya tha maano wo khud aisa chahta ho uss bulbule ko apne hatheli ke upar rakhe rakhe
Ronit upar ki taraf tairne laga wahi river ke side khadi Avantika kabhi paani ki taraf dekhti
toh kabhi apne haathon me bandhi ghadi ki taraf Ronit ne usse kaha tha ki wo aadhe
ghante tak apni saanse rok sakta hai aur aadha ghanta khatam hone me kuch hi minutes
baaki the har guzarte pal ke saath uski bechaini badhti chali jaa rahi thi Avantika ne apni
aakhen band ki aur Ronit ki salamati ki dua maangi pray karne ke baad jaise hi Avantika
ne aakhen kholi uski khushi ka thekana na raha usse paani ke upar Ronit ka chehre dikhayi
de gaya iss waqt Ronit zor zor se haanf apni saanson ko dusrust karne me laga hua tha
Avantika ne mann hi mann God ko thanks kaha apni khushi ke beech uski nazar Ronit ke
right hand ki hatheli ki taraf gayi jise Ronit halka uthaye hue tha uski hatheli me jo bhi chiz
thi usse halki halki roshni nikal rahi thi jise Avantika ki nazro ne bhi dekh liya tha uss
chamakti cheez ko dekh Avantika ko yakin ho gaya ki ho naa ho ye wahi cheez hai jise usse
Vj ke thek hone ka clue milega aur iss baat ke zehen me uthte hi Avantika ki khushi ka
thekana na raha wo besabri se Ronit ki taraf dekhne lagi jo iss waqt apne right hand ko
halka hawa me utha apne left haath se tairte hue uski taraf aa raha tha aur kuch hi der
me Ronit river ke tath ke paas pahunch chuka tha jiski gehrayi bas uske ghutno tak thi
jahan Ronit chalta hua Avantika ki taraf aane laga wahi Avantika jigyasa bhari aakhon se
Ronit ke hatheli ke upar uss jagmati chiz ko dekh rahi thi aur jaise hi Ronit Avantika ke
kareeb pahuncha paani ka wo bulbula jo ab tak Ronit ke hatheli ke upar tha wo hawa me
udta hua Avantika ke saamne ruk gaya aisa hone par Avantika ko bhi Ronit ki hi tarah
shock laga aur reason bhi same tha Avantika ko uss chamakte paani ke bulbule ke andar
apna naam likha hua dikha wo sawal bhari nazare liye Ronit ki taraf dekhne lagi

Ronit:- mujhe mat dekh yaar mujhe iske bare me kuch idea nahi hai tu ne jaise kaha tha
maine waisa kiya aur uska result ye nikla ye bulbula jiske andar tera naam hai

Avantika:- par ye tujhe mila kahan? aur waha andar hua kya tha? yaha bahar paani me
kuch dhamake bhi hue the fir Ronit ne jo bhi waha paani ke neeche hua wo sab Avantika
ko bataya jise sunkar Avantika ko zyada shock nahi laga kyu ki usse andaza tha ki aisa hi
kuch hoga khair Ronit ki saari baat sunne ke baad Avantika ki nazar wapas uske saamne
hawa me ruk uss paani ke bulbule par teher gayi wo uss bulbule ko dhayan se dekh
samjhne ki koshish kar hi rahi thi ki

Ronit:- Avni tera haath dekh Ronit ki baat sun jaise hi Avantika ki nazar apne right hand
par gayi toh usse ek jhatka laga reason uske haath se bhi waise hi roshni nikal rahi thi jaise
uss paani ke bulbule se nikal rahi thi kuch der tak apne haathon ko confusion ke saath
dekhne ke baad achanak Avantika ke dimag ki batti jali aur uske mouh se nikla

Avantika:- bhavishya waani Avantika ke mouh se bhavishwaani sunkar ek pal ke liye Ronit
bhi chonka par fir usse Isla ke fountain ke andar Avantika ko mile bhavishwaani ke bare
me yaad aaya jiske bare me Avantika usse bata chuki thi wahi Avantika apne haath me
ubharte roshni wali jagah ko sehlate sehlate sochne lagi ki aage kya kiya jaye ek baar firse
uski nazar uss paani ke bulbule ki taraf chali gayi jsike andar ussika naam likha hua tha
kuch sochkar Avantika ne apna left haath aage kiya aisa karte hi wo paani ka bulbula
Avantika ki hatheli ke upar aa gaya Avantika apne hatheli ko apne right hand ke kareeb
lekar aayi jahan se roshni nikal rahi thi jaise jaise wo paani ka bulbula aur uska right hand
paas aa rahe the Avantika ko aisa lag raha tha maano dono ek dusre ko kisi chumbak ki
tarah kheench rahe hon aur jaise hi Avantika ki left hatheli uske right hand ko touch hui
Avantika ke sharir ko ek tez jhatka laga reason paani ka wo bulbula jo uske left hatheli par
tha wo uske right hand ko chute hi fath gaya uss bulbule ke andar paani se hi Avantika ka
naam likha hua tha bulbule ke fathte hi wo paani Avantika ke right hand par gir gaya aur
aisa hote hi Avantika ko jhatka laga par uske agle hi pal Avantika ke haath ki roshni aur
badh gayi aur dekhte hi dekhte wo roshni bahar aane lagi bahar aate hi uss roshni ne
dobara ussi charre ka roop le liye jaisa Avantika ke haath me samane se pehle tha bas fark
sirf itna tha ki iss baar jo charra uske saamne tha wo paani se bana hua tha wo roshni ka
charra hawa me uth gaya aur ek jagah jaakar ruk gaya par wo apni jagah par gol gol ghum
raha tha Ronit ko toh kuch samjh nahi aaya par Avantika samjh gayi thi ki bhavishyawaani
ka waqt aa gaya hai wahi kuch der tak apni jagah par ghumne ke baad achanak wo paani
se bhara roshni ka charra ruk gaya aur agle hi pal uske andar se ek unchi bhaari bharkam
awaaz gunji bhavishwaani mere sparsh se rakht ki jakad dheeli hogi par sampoorn
upchaar uss paani se hoga jisme mohobbat me nikli namkeen paani mili hogi

Planet: Gluto Place: Palace Hall

kaha ho Vikram? itna samay beet gaya kya tumhe ab tak hamari taklif mehsoos nahi hui?
aaj Shaila ko apne hi mahal me daasi bane pure ek saal ho gaye the in ek saal me usne
God aur Vikram ko din raat yaad kiya tha uski dua me uski salamati nahi balki Akshaant
aur uske grah ke logon ki bhalayi ki guhaar hoti thi ek varsh tak dil hi dil me prarthana
karne ke baad aaj Shaila chilla chilla ka apni vyatha bol rahi thi

Shaila:- iss zillat bhari zindagi se toh mout hi behtar hai par mera durbhaagya ki main mar
bhi nahi sakti agar maine aatmahatya kar li toh wo dusht ladki iska badla meri praja se legi
wo Akshaant ko bhi nahi bakshegi jo abhi bhi kitne kasht me hai ye kaisi vidambana hai ki
mere pyar ke mere aankhon ke saamne kasht me hote hue bhi main usse bachana toh
chhod chuu tak nahi sakti main ye toh nahi janti ki tum abhi tak hume bachane kyu nahi
aayeshayad hamari hi tarah tum bhi kisi mushkil me hokintu har baadha ko paar kar
tumhe hume bachane aana hi hoga Vikram aisi vikat paristhi thi me tum hamse mouh nahi
mod sakte main har din tumhe pukarungi Vikram ek naa ek din toh meri guhaar meri
awaaz meri tadap tumhe sunayi degi itna samay nikalne ke pashchaat bhi tumhe ummid
hai ki wo tumhe bachane aayega ye awaaz Shaila ke piche se aayi thi wo janti thi ki ye
awaaz kiski hai par Shaila piche nahi palti usne waise hi baithe hue apni baat kahi

Shaila:- ummid par toh duniya kaayam hai Bhuvika fir main toh usse ummid lagaye baithi
hun jiska dusra naam hi ummid hai ab tak Bhuvika chalte hue Shaila ke saamne aa gayi thi

Bhuvika:- raani se noukraani ban gayi par aaj bhi tere awaaz ki akad nahi gayi haan Bhuvika
ki baat sun Shaila ke chehre par ek smile aa gayi

Shaila:- jab bhaade ki shaktiyon ke gumaan me tu apne aap ko mahashaktishali samjhne


ka bhram paal ghamand kar sakti haitoh maine toh apni saari shaktiyan kadi mehnet se
haasil ki hain aur ussi mehnet ke fal swaroop mujhe Gluto ki rani banaya gaya tha
ghamand toh hoga naa ahhh ye dard bhari karah Shaila ke mouh se nahi balki Akshaant
ke mouh se nikal rahi thi jise sunkar Shaila ka muskurata hua chehra gum me badal gaya
toh hua ye ki Shaila ki baat sunkar Bhuvika ko aaya ghussa aur har baar ki tarah Bhuvika
ne Shaila ke jism ke badle uske dil par waar karna sahi samjha matlab Akshaant par jo ki
iss waqt thek waise hi hawa me akda hua khada tha jaisa Bhuvika usse ek saal pehle chhod
kar gayi thi Bhuvika ne apna haath aage kiya uske aisa karte hi Akshaant ki maans peshiyon
me khichaav aane laga jise usse dard hua apne premi ke dard ko dekh Shaila ke chehre
me jo parivartan aaya tha usse Bhuvika ko bohat acha laga

Bhuvika:- ye mat bhulna ki teri hasi ko rone me badalna mujhe aata hai dobara mere aage
adab se baat karna warna tere priyatam ka haal aur bura kar dungi Shaila asahaya si sar
neeche kar baithi thi usse apni majburi par bohat krodh aa raha tha wo khud ko kos hi
rahi thi ki Shaila ke sharir ko ek jhatka laga usse iss jhatke ka matlab samjh nahi aaya par
najane kyu par achanak usse apne andar ek sheetalta ek sukoon mehsoos hone lagi thi ye
wahi waqt tha doston jab Avantika ke saamne bhavishwaani ne khudko khola tha darasal
baat ye thi ki yudh prashikshan sikhate waqt Shaila aur baaki ke saare logon ko Vikram ne
khudse jod liya tha par Asmodeus ke rakht ke prabhav me aane ke baad Vikram ka sabhi
se connection toot gaya tha par bhavishyawani ke urja ki wajah se jo ki asal me Lord of
Angels ki hi urja thi ek pal ke liye wo connection wapas Shaila se jud gaya aur issi wajah
se Shaila ka mann halka sa ho gaya tha Shaila ko ab bhi apne andar aaye parivartan ka asli
matlab samjh nahi aaya tha par najane kyu usse lag raha tha ki hona hoye sab Vikram ki
wajah se hi hua hai aur ye khayal aate hi Shaila ki goom ho chuki muskurahat wapas aa
gayi iss waqt Shaila ka chehra neeche thaissliye Bhuvika ko wo muskurahat nahi dikhi kuch
waqt tak Shaila ko dekhne ke paschat Bhuvika gayab ho gayi uske gaayab hote hi Shaila
ka khushal chehra upar utha

Shaila:- nadi kitna bhi bada ho jaye samandar ke saamne uski koi aukaad nahi aakhir me
usse samandar me milna hi hota hai Bhuvika tera bhi teri behan ki tarah Vikram naam ke
samandar se milne ka waqt sameep hai

Planet: Isla/Warriors World Place: Grah Setu

ek baat batao putri jab se hum sab iss grah Setu me fase hain hum me se aisa koi nahi hai
jiske mann main hamare bhavishya ke liye sawal na utha ho samay hi itna beet chuka hai
na Vikram khud aaye aur naa hi unki koi khabar aise me mann main nakaratmak vichar ka
aana aam baat hai kintu tumhare mukh ka tejtumhara vishwas ab bhi purnatah kaayam
hai kya tumhe ek shan ke liye bhi aisa nahi laga ki shayad Vikram hume azaad karne ke
liye nahi aane wale? apne pitah ki baat sunkar Alesendra muskura di waise king Solomon
ki baat kuch hadh tak sahi hi thi itna lambe samay tak ek hi jagah fase rehne se kisi ke
mann main bhi aashanka paida hona laazmi si baat hai aisa me lagatar ummid ka diya
jalaye har waqt chehre par muskaan liye rehna bohat badi baat hoti hai aisi shraddha
bohat kam logon me hoti hai jo Alesendra me thi

Alesendra:- jab saans lete waqt iss baat par shak nahi rehta ki agle pal saans le payenge
ya nahi toh iss baat par kaise shak kiya jaa sakta hai ki zindagi bachane wala hume bachane
aayega ya nahi zindagi dena ishwar ka kaam hai aur uss zindagi ki raksha karne ka daayitv
uske putra ka Vikram par sandeh karna ishwar par sandeh karne jaisa hai pita ji king
Solomon aur unke baaju me unki biwi khadi hokar Alesendra ki baatein ya fir ye kahu ki
ek abedhya kille ki tarah uske bharose ko sun khush ho gaye

King Solomon:- tumhare aatma vishwaas se bhari baaton ko sunkar hamare mann main
panap raha sandeh ka baadal bhi chhat gaya putri
Queen Ashley:- haan putri bhale hi Vikram ko aane me kitni hi der kyu naa hopar ab hum
pure vishwas ke saath unke aagman ki pratiskha kare ge apne pitha aur maa ki baat sunkar
Alesendra ke chehre par muskurahat aa gayi Alesendra ki nazre yunhi ghumte ghumte
Defender ki taraf gayi aur Defender ko dekh Alesendra ke maathe par sawalon ke bal aa
gaye wo chalte hue Defender ki paas pahnch gayi iss waqt Defender ki aakhen band thi
par unke chehre par muskaan thi issi muskaan ko dekh Alesendra Defender ke paas aayi
thi taaki wo iss muskurahat ka kaaran jaan sake Defender ko bhi iss baat ka ehsaas ho
chuka tha ki koi unke paas khada hai issliye unhone apni aakhen khol di apne saamne
Alesendra ko dekh Defender ki smile aur badh gayi reason dhayan se bahar aakar wo
Alesendra ko hi bulane wale the par usse pehle hi Alesendra unke saamne thi

Defender:- main tumhe hi bulane wala tha putri acha hua ki tum swayam mere paas aa
gayi

Alesendra:- aadesh den Defender?

Defender:- mujhe iss Grah Setu se bahar jana hoga Defender ki baat sunkar Alesendra
chonki

Alesendra:- kya bahar ka khatra samapt ho gaya?

Defender:- nahi par mera jana awashayak hai Alesendra Defender se unke iss faisle ka
kaaran jaanna chahti thi kintu fir bhi wo chup rahi par Defender Alesendra ke mann main
umad rahe sawalon se bhali bhaati parichit the

Defender:- pichle baar jab mere chehre par khushi aur dukh dono ke bhaav aa jaa rahe
tehaur jab tumne mujhse iska kaaran pucha tha toh maine kya uttar diya tha?

Alesendra:- yahi ki Vikram ke saath kuch chhal hua hai jise unki Lord of Angels ki urja unse
door ho gayi hai issi wajah se aap dukhi the aur khush isliye the kyu ki wo urja ab Avantika
ke andar moujud hai aur surakshit hai

Defender:- hmm aur aaj bhi mere chehre par aaye khushi ke bhaav ko dekh kar hi tum
mere saamne ho taaki iska kaaran jaan sako haina?

Alesendra:- ji Defender fir Defender ne Alesendra ko apne khush hone ka raaz bataya aur
ye bhi bataya ki wo kyu grah Setu se bahar jaa rahe hain

Alesendra:- Defender ki baat sunkar Alesendra khush bhi hui aur thodi chintit bhi
Alesendra:- ye toh bohat khushi ke baat hai par jo haalaat hainkya unme aapka bahar jana
uchit hai

Defender:- nishchint raho putri mujhe kuch nahi hoga aur waise bhi mera bahar jana
awashayak hai tum bas iss baat ka khayal rakhna ki meri anupa stithi se yaha koi chintit
naa ho apne maata pitha aur Lord Crusedar se bas itna kehna ki main kisi aawashayak
kaarya se bahar gaya hun

Alesendra:- jaisa aap kahe Defender Defender Grah Setu ke pravesh dwaar ke saamne
khade ho gaye Defender ke pravesh dwar ke saamne pahunchte hi ek second ke liye
pravesh dwar khul gaya aisa hote hi Defender turant bahar aa gaye Defender ke bahar
aate hi wo pravesh dwar band ho gaya aaj ek varsh pashchaat Defender Isla ko dekh rahe
the iss waqt Isla andhere me dooba hua tha aur iska kaaran tha ki pure Isla ko aur Warriors
World ko Beelzebub aur Bhuvika ne apne kaale jaadu ke madad se baandh diya tha jis
wajah se surya ki sakaratmak shakti Isla aur Warriors World me nahi pad paa rahi thi
Defender Isla ko dekh hi rahe the ki Defender se kuch hi door unke saamne ek zor ki bijli
kadki aur agle hi pal uss bijli ke beech me se ek kaala saaya bahar aaya par uss kaale saaye
ko dekhkar Defender ke chehre par koi expression nahi aaye maano wo jante the ki aisa
kuch hone wala hai wo kaala saaya Defender se kuch kadam door aakar ruk gaya

Kaala saaya:- maine ummid nahi ki thi ki tum apne bill se bahar aane ka saahas dikhaoge

Defender:- maine bhi ummid nahi ki thi ki Asmodeus ne tumhe yaha ka chowkidaar niyukt
kiya hoga Beelzebub Defender ki baat sunkar Beelzebub ke chehre par krodh ki silwaten
doud gayi

Beelzebub:- dekh raha hun ki ek varsh tak kaayaron ki tarah chhupe rehne ke baad bhi
tumhare zubaan ko zung nahi laga hai ummid karta hun ki tumhari zuban ki hi tarah
tumhari shaktiyan bhi thek thaak chalengi kyu ki aise hi tumhe maarne me mujhe maza
nahi aayega

Defender:- mera kaam mere grah ke logon ki salamati hai Beelzebub aur mujhse hi unke
houslen jude hue hain unki salamati aur ummid ke liye mujhe bhi chupna pada aur rahi
baat meri shaktiyon ki toh aazma kar dekh lo vispurati vibjuti vibrate power Defender ne
bina samay gawayen apna pehla spell bol diya Defender ke spell bolte hi Beelzebub ke
charon taraf hawa ke tez aur behad shaktishali vibrations hone lage ye vibrations itne
strong the ki kuch pal ke liye Beelzebub ke pair ladkhada gaye Beelzebub ko apni shaaririk
shaktiyan kamzor si padti hui mehsoos huin Beelzebub ne apni aakhen band ki aur apni
aantrik urja ko mehsoos karne laga aisa karte hi Beelzebub ki kamzori khatam hone lagi
aur jab aisa hua anuvartita revert Beelzebub ke spell bolte hi uske sharir se dher saari kaali
shaktiyan ek pressure ke saath nikli aur sidhe jaakar hawa me ho rahe vibrations se
takrayin aur jaise hi aisa hua hawa ki vibrations khatam ho gayin Beelzebub ne bhale hi
Defender ke spell ko kaat diya ho par Defender ke bole gaye spell ke impact ko dekhkar
wo hairan tha har spell ki taakat usse bolne wale ke upar hoti hai spell ki taakat se hi usse
bolne wale ki takat ka andaza ho jata hai Beelzebub ko ummid nahi thi ki Defender itna
shaktishali hoga

Defender:- bohat acche Beelzebub dum toh hai tumme par tumhare pitah wali baat nahi
hai wo sochne me itna samay vyarth nahi karta

Beelzebub:- mere pitah jaisi baat iss bramhaand me kisi ki nahi hai tumhare Vikram me hi
nahi

Defender:- sahi waqt aane do tumhari ye galat fehmi bhi door ho jayegi bacche

Beelzebub:- wo waqt jab aayega tab aayega par afsos tum uss waqt ko dekhne ke liye jivit
nahi bachoge

Defender:- meri zindagi ki ghadiyan khatam karne ka dum tujhme nahi hai Beelzebub
chaahe toh koshish karke dekh le maaya jakdam magic clench Beelzebub ke spell bolte hi
Defender ko ek adrishya taakat ne jakad liya aur aisa hote dekh Beelzebub ke chehre par
ek muskaan naach gayi

Beelzebub:- ab kya karega Defender ab main aaram se tera sir tere dhad se alag kar dunga
aur tu chatpane ke alawa aur kuch nahi kar payega Beelzebub ki baat ka Defender ne koi
jawab nahi diya Defender ne bas apni aankhen band ki aur parivarjita devoid Defender ke
spell bolte hi wo adrishya taakat jisne unhe jakad rakha tha wo hat gayi jahan free hote hi
Defender ne apne haath ko jhatka wahi unhe apne spell ko itni asaani se kaata tha dekh
Beelzebub shocked ho gaya Beelzebub ke hairani se bhare chehre ko dekh kar Defender
ke chehre par muskaan aa gayi

Defender:- tumhe kya laga ki bas tum hi spells ko kaatna jante ho? Defender ki baat sunkar
Beelzebub ko ghussa aa gaya

Beelzebub:- ab bas bohat hua khel ab tujhe marna padega Beelzebub ne aakhen band ki
aur apni saari shaktiyon ko apne dono haathon me lane laga Beelzebub ke aisa karne se
mousam aur kharab hone laga abhi tak har taraf halka halka andhera tha par ab mousam
aur dark hone laga tha Defender bhi samjh gaye ki Beelzebub apni puri shakti se unpar
waar karne wala hai aur agar aisa ho gaya toh wo bach nahi payenge isse pehle ki
Beelzebub apna spell uccharit kare Defender ko apni safety ke liye kuch na kuch karna tha
issliye parmeshwar kawacham prakatam Gods barrier appear sampoorn vinasham
complete destruction jaise hi Defender ne spell bola uske agle hi pal Beelzebub ne bhi
napna spell uchharit kar diya Beelzebub ke spell bolte hi uske haathon se dher saari
maatra me kaali rays nikli aur ek zordar garjana karte hue Defender ki taraf badhi aur jaise
hi wo kaali rays Defender ke kareeb pahunchi boommm ek tez dhamaka hua iss dhamake
ka impact itna zyada tha koi Beelzebub ke sharir ko bhi ek tez jhakta laga aur wo niche gir
gaya jahan Defender khade the iss waqt waha kuch bhi nahi dikh raha tha kyu ki waha
dhul hi dhul faila hua tha kuch der baad jab dhul chatta toh waha ka nazara clear hua aur
saamne ke nazaare ko dekh Beelzebub ke chehre par smile aa gayi reason Defender ka
sharir neeche zamin par pada hua tha antim baar Defender ko dekhne ki icha liye
Beelzebub chalte hue unke kareeb pahuncha par jaise hi wo Defender ke paas aaya uski
aankhen hairat se faile gayi reason Defender zinda the aur iss waqt dheere dheere khade
ho rahe the darasal Defender Beelzebub ki spell ki wajah se nahi gire the balki khudke
kahe gaye spell ki wajah se gire the Defender ne jis spell ko bola tha uss spell ko bolne aur
istemal karne ki shamata sirf Gods meseenger ko thi par kyu ki Vikram ne Defender ko
shaktiyan pradan ki thi issliye Defender bhi iss spell ko bol sakte the par uske impact ko
wo puri taraf jhel nahi paye aur spell ki wajah se unke sharir se nikli urja se aayi kamzori
ki wajah se wo gir gaye Vikram ki wajah se wo ye spell ka successfully use toh kar gaye the
par iss spell ka unke upar ek side effect bhi hua tha aur wo ye ki ab jis kawach se wo charon
taraf se ghire hue the ab wo chahkar bhi usse nikal nahi sakte the ab ye kawach unke liye
ek kism ka jail ho gaya tha iss sach se Defender bhi awgat the iske baawajud unhone iska
uchharan kiya tha Defender ab khade ho chuke the par ab bhi unke chehre par kamzori
saaf jhalak rahi thi Beelzebub jo ki unke saamne khada tha wo ab bhi aankh faade
Defender ko dekh raha tha jab Defender ki nazar Beelzebub par gayi toh wo hans pade

Defender:- aise kya dekh raha hai Beelzebub main tere spell ki wajah se niche nahi gira
tha balki tere spell ko kaatne ke liye bole gaye apne spell ki urja se gira tha

Beelzebub:- asambhav

Defender:- asambhav haan asambhav toh hai aur janta hai kya? tera iss kawach ko bhedna
chaahe toh koshish karke dekh le Beelzebub ne Defender ke kawach ko todne ke liye ek
ke baad kayi saare spells bole par koi fayeda nahi hua kawach waisa ka waisa hi intact
raha jaisa ki maine bataya tha ki spells ka asar uske bolne wale ke shaktiyon ke upar
nirbhar karta haiissliye spells usse bolne wale ki urja nichod usse thaka bhi dete hain back
to back itne saare spells bolne ki wajah se Beelzebub ke upar bhi thakan hone lagi thi
Defender:- maine kaha tha naa Beelzebub iss kawach ko todna tumhare liye asambhav
hai wapas loutne ke siwa tumhare paas aur koi chaara nahi hai Beelzebub ne apni aankhen
band ki aur apne right hand ko apne dil ke upar rakha Beelzebub ke sharir se black energy
ki ek moti ray nikalkar Defender ke charon taraf faile gayi charon taraf failne ke baad wo
kaali rays gayab ho gayi

Beelzebub:- abhi toh main jaa raha hun Defender par main wapas aaunga mere sharir ki
suchna shakti ne tumhare kawach ko charon taraf se ghera hua hai jis lamhe tum apne
kawach se bahar aaye meri in rays se mujhe iski suchna mil jayegi aur ussi shan main
tumhare saamne prakat ho jaaunga aur jis din hamara dobara aamna saamna huawo din
tumhare zindagi ka aakhri din hoga Beelzebub ne apni baat bohat krodh me kahi thi par
uski baat sunkar Defender ke chehre par smile aa gayi

Defender:- main tumse ek waada karta hun Beelzebub aur wo ye ki jis din bhi hamara
dobara saamna huaus din main tumhare waar ka jawab tak nahi dunga par iske baawajud
tum mera kuch nahi bigad paaoge mujhe maarna toh door agar tumne mujhe neeche tak
gira diya toh main tumhara gulaam ban jaaunga Beelzebub ne ek baar ghur kar Defender
ko dekha aur gaayab ho gaya

Defender:- Isla aur Warriors World aapki pratiksha kar rahe hain jaldi aaiyega Lord of
Angels

Planet: Earth Place: Secrilla

tujhe kuch samjh me aaya kya? kyu ki mere toh sar ke upar se gaya

Avantika:- no clue yaar mere bhi sar ke upar se nikal gaya bhavishwani puri hote hi wo
paani se bana charra wapas Avantika ke haath me chala gaya tha Avantika aur Ronit kafi
der tak uss bhavishwaani ki baat ya fir ye kahu ki uski di gayi paheli ko samjhne ki koshish
karte rahe par sab bekar unhe kuch bhi samjh nahi aa raha tha

Avantika:- filhal ke liye sochna band karte hain waise bhi aaj ka pura din kafi stress full
raha hai filhal ghar chalte hain

Ronit:- cool Ronit ne ussi jagah ke liye magic door khol diya jahan se wo yaha aane ke liye
nikle the Avantika aur Ronit door se hote hue uss jagah par pahunch gaye iss waqt shaam
ke 7 baj rahe the

Ronit:- kafi late ho gaya hai hume ghar jana chahiye


Avantika:- haan chal Avantika apni car lekar aayi thi jabki Ronit paidal hi yaha aaya tha
uska ghar paas me hi tha garden se bahar aakar jaise hi Ronit ne Avantika ko bye kaha

Avantika:- chal tujhe chhod deti hun

Ronit:- main paidal chale jaaunga mera ghar paas me hi hai tu jaa tere ghar wale tension
le rahe honge

Avantika:- nahi wo main ghar par bata kar aayi thi ki raat tak aaungi aur waise bhi main
abhi apne ghar nahi Vj ke ghar jaa rahi hun

Ronit:- Vj ke ghar kyu?

Avantika:- kyu matlab? mera sasural hai main nahi jaaungi toh aur kaun jayega? Avantika
ne sidhe sapat tarike se apni baat kahi par uski baat sunke Ronit ko hasi aa gayi

Ronit:- abhi se sasural badi besabri hai tujhe

Avantika:- bilkul hai mera bas chale toh abhi Vj se shayadi kar lun par uss khadus ka dimag
abhi khiska hua hai propose karungi toh mana kar dega

Ronit:- aisa toh ek kaam karte hain main aunty aur uncle ko tere aur Vj ke bare me bata
deta hun wo usse mana lenge

Avantika:- bata de par tujhe pata hai ki abhi Vj ke dimag me short circuit hua hai kahi teri
baaton se bhadak kar tujhe dho naa de

Ronit:- haan yaarye baat bhi hai idea cancel chal main bhi tere saath chalta hun main bhi
Vj se mil lunga Avantika aur Ronit Avantika ki car me baith Vj ke ghar ki taraf chal pade
Avantika Vj ke ghar sirf issliye nahi jaa rahi thi kyu ki usse abhi milne ka mann ho raha tha
uske Vj ke ghar jane ke piche ek aur kaaran bhi tha darasal baat ye thi ki jab se Avantika
Secrilla se wapas aayi thi tabhi se usse uske andar kuch mehsoos ho raha tha usse aisa lag
raha tha jaise Vj ki urja usse kuch batana chahti hai par wo usse samjh nahi paa rahi hai
Vj ki urja bhale hi abhi Avantika ke andar thi fir bhi jab jab Vj Avantika ke saamne aata tha
tab Avantika ke andar ki urja zyada active ho jati thi aur Avantika ko kuch na kuch pata
chalta tha exams ke waqt jab Vj aur Avantika ka aamna saamna hua tha tab Avantika ko
grah Setu aur Gluto ke bare me pata chal gaya tha agli baar Delhi me mulakat ke baad jab
Avantika wapas Mumbai aayi thi tab bhi Vj se milne ke baad urja ke active hone asar bacha
hua tha Avantika ko pura bharosa tha ki jo baat Vj ki urja Avantika ko batana chahti haiwo
Vj ke saamne aate hi usse clear ho jayega ye sab baatein sochte sochte Avantika aur ki car
Vj ke ghar me entry kar gayi car park kar jaise hi Avantika car se bahar aayi
Avantika:- oh shit Avantika ke mouh se nikle ye shabd sunkar Ronit aakhon me sawal liye
uski taraf dekhne laga

Avantika:- gaadi me baitho batati hun Avantika turant wapas gaadi me baith gayi Ronit
bhi confused si shakal liye wapas apni seat par baith Avantika ki taraf dekhne laga
Avantika ne turant car ghuma li darasal baat ye thi ki Vj ki shakti aseem thi Vj jahan bhi
hota tha uske aas paas ki sab jagah uski shakti ke daayre me aati thi aur issi baat ka asar
abhi abhi hua jaise hi Avantika ne apne kadam gaadi se bahar rakhe Vj ki urja jo ki Avantika
ke andar thi wo Vj ki shaktiyon ke contact me aa gayi aisa hote hi Avantika ko uss baat ke
bare me pata chal gaya jis baat ko Vj ki urja kuch der se Avantika ko batana chahti thi

Ronit:- batayegi bhi ki kya hua aur hum kaha jaa rahe hain? Avantika ne Ronit ko Vj ki urja
aur uss urja ka usse sanket dene ke bare me bata diya Avantika ne usse bataya ki wo Vj
ke ghar kyu jaa rahi thi aur ye bhi ki Vj ke ghar ke lawn me kadam rakhte hi usse uss sanket
ki wajah pata chal gayi

Ronit:- par Vj ki urja tujhe kya batana chahti thi wo toh bata?

Avantika:- kuch der ruk sab pata chal jayega Avantika apni car ko tez bhagate hue aage
badhi aur ussi garden ke paas aakar ruki jahan se wo dono Secrilla gaye the aur wapas
aaye the

Ronit:- hum toh wahi aa gaye jahan kuch der pehle the par Avantika ne Ronit ki baat ke
jawab me bas itna kaha ki

Avantika:- chal andar sab pata chal jayega Avantika aur Ronit magic door se purane garden
me aaye the jo ki hamesha band hi rehta tha par iss waqt wo dono naye garden me aaye
the jahan abhi kafi log the shaam ke waqt iss garden me logon ka sair karna aam baat thi
Avantika bechaini se ek aur aage badhti chali gayi Ronit bhi uske piche piche chup chaap
chal raha tha Avantika khudse hi chal toh rahi thi par actual me Vj ki urja usse guide si kar
rahi thi kuch der tak chalne ke baad ek bench ke paas aakar Avantika ruk gayi Avantika ke
saamne bench par ek ladki baithi hui thi jiske aankhon me iss waqt aansu the wo aankhon
me aansu aur dar liye idhar udhar dekh rahi thi aur jaise hi uss ladki ki nazar Avantika par
padi uski dar bhari aankhon me ek chamak aa gayi wo bench se uth khadi huyi wahi Ronit
ki nazar abhi tak uss ladki par nahi pade the wo Avantika ke paas aaya aur

Ronit:- ab batayegi bhi ki hum yaha kyu aaye hain? Avantika ane kuch nahi kaha bas
saamne bench ki taraf ishara kar diya Avantika ki ungli ka picha kar jaise hi Ronit ki nazar
saamne gayi ek pal ke liye Ronit ko pehle toh jhatka laga par agle hi pal uski aankhon me
ghussa tairne laga Avantika aur wo ladki toh ek tak ek dusre ko dekhne me busy the issliye
un dono ka Ronit ki taraf dhayan nahi tha

Ronit:- subah toh tu bach gayi par iss baar main tujhe nahi chhodunga Bhuvika Ronit ki
baat Avantika ke kaano se takrayi par isse pehle ki wo usse roktiRonit tezi se aage badha
aur umm Ronit ne uss ladki ke gale ko pakad usse hawa me utha diya wo ladki dard se
chatpatane lagi thi Avantika turant Ronit ke paas pahunchi

Avantika:- uska gala chhodo Ronit wo mar jayegi par Ronit ne jaise Avantika ki baat suni
hi nahi uske haath ki pakad ab bhi sakht hi thi qahin uss ladki ki aankhen bhi ab band hone
lagi thi

Avantika:- tumhe Anjali ki kasam hai usse chhodo Ronit Avantika ke mouh se Anjali ki
kasam sunte hi Ronit ki haath ki pakad dheeli ho gayi uss ladki ke gale ko chhod wo
avishwas bhari nazro se Avantika ko dekh raha tha uske chehre par abhi bhi bohat ghussa
dikh raha tha wahi wo ladki zor zor se saans lete hue khus ko theek karne ki koshish kar
rahi thi Avantika ne Ronit ka baazu pakda aur usse thoda door le gayi fir Avantika ne kuch
kaha ya fir ye kahu ki ek aisa khulasa kiya jise sunkar Ronit ke chehre par jo ghusse ke
expressions the wo tyrant second me gayab ho gaye usse Avantika ki baat par yakin hi
nahi ho raha tha Avantika bhi janti thi ki uski kahi baat par yakin karna Ronit ke liye kya
kisike liye bhi bohat mushkil hai

Avantika:- ye sach hai Ronit aur iske bare me isse bhi nahi pata ye ladki Bhuvika nahi balki
uski behan Analia hai

Planet: Shadow World Place: Open Ground

hey parmeshwar hum toh sabhi asha kho chuke the kintu jis din aapke

dooth St Sebastian yaha aaye aur hume bataya ki bohat jald hume bachane ke liye hamara
uddharkarta aane wala haitoh hamari khushi ka thekana naa raha hamari marti hui
ummid fir se jivit ho uthi hum dil se hamare swami ka intezar kar rahe the kintu usse pehle
tum sabki mulakat mujhse ho gayi iss awaaz ko sun saare shadows jo ki kisi zamane me
samay sanchalokon ke naam se jane jaate the palte aur apne saamne khade shaksh ko
dekh kar un sab ke chehre utar gaye

Unknown:- arre mujhe dekh tum sabka chehra kyu utar gaya? lagta hai mujhe dekh tum
sab ko khushi nahi hui
1st Shadow:- andhere ko dekh ujale ko kabhi khushi nahi hoti Bhuvika ab uska yaha kya
kaam ye toh aap sab ko aage padhkar hi pata chalega

Bhuvika:- maha rani Bhuvika apni rani ka naam tamiz se lo samjhe warna aisi haalat
karungi ki tumhari aatma ke saath saath Yeluptus me dafan tumhari praanhin sharir tak
tadap uthegi

2nd Shadow:- jis dard ki tum baat kar rahi ho wo tum hume pehle bhi de chuki ho hum aise
taklifon se nahi darte Bhuvika

1st Shadow:- aur tum jis taakat ke dum par itna ghamand kar rahi hi ho naa agar hum apne
waastavik roop me hote toh tumhari taakat aur tumhare ghamand ko shan bhar me
samapt kar dete hum samay sanchalak hain hamari shaktiyan khud God se hain tumhare
jaise bhaade ki shaktiyon se aur wo bhi kaali shaktiyan jinka ek na ek din sarvanash hona
nishchit hai hum nahi darte aur ahhh isse aage wo shadow kuch keh nahi paye shadows
ki baat sunkar Bhuvika ko ghussa aa gaya tha iss waqt saare shadows ek group me khade
the aur isse pehle ki shadow kuch kahe Bhuvika ne saamne khade un dono shadows ko jo
uska apmaan kar rahe the unpar apni kaali shaktiyon se nirmit kaaton bhari rays chhod di
waise toh shadow ka koi sharir nahi tha par in rays me aatmaon ko taklif pahunchane ki
shakti thi un rays dono shadows ko charon taraf se gher liya aur un rays se nikalte
dhardhar kaanton ne shadows ko chubhona shuru kiya jis wajah se un dono ke mouh se
dard bhari aah nilkalne lagi wo rays kuch samay tak un shadows ko taklif pahunchati rahi
aur jaise hi dard ki atyadhikta ki wajah se wo dono shadow neeche giriBhuvika ne apni
chhodi ray wapas kheench li baaki ke saare shadows apne chehre par bebasi liye apne
dono saathi yon ko dekh rahe the

Bhuvika:- aaj ke liye itna kafi hai ya abhi bhi mann nahi bhara wo dono shadows jo iss
waqt zameen par pade apne dard ko zabt karne ki koshish kar rahe theBhuvika ki baat sun
uski taraf ek fiki muskaan liye dekhne lage

1st Shadow:- tumhe lagta hai ki iss dard se hume koi fark padega aahhh iss baar ye dard
bhari cheekh har shadow ke mouh se nikli thi reason ussi agni ki wajah se jo in sab ke
neeche prajwalit hui thi ye wahi agni ya fir ye kahu ki wahi saza hai jo saare samay
sanchalak khudko dete aa rahe hain jab tak wo agni un sab ke neeche prajwalit hoti
rahisaare shadows dard se cheekhte rahe wahi unke saamne khadi Bhuvika aankhon me
aascharya liye ye sab dekh rahi thi ye pehli baar nahi tha jab Bhuvika ye sab hote hue dekh
rahi thi jab se Asmodeus ne usse shadow world ki rani banaya hai ya fir ye kahu ki usse
shadow world me jane ki permission di hai (iske piche ek khaas reason hai jo baad me
pata chalega) tab se hi wo shadows ko issi agni dwara tadapte hue dekh rahi hai par jab
bhi wo iss drishya ko dekhti hai toh aashcharya me padh jati hai Bhuvika ko ye baat pata
thi ki agni se jalne ka faisla khud shadows ka hai par wo ye janana chahti thi ki khud ke
saath aisa karne ke piche shadows ka kya kaaran ho sakta hai? jahan Bhuvika apni soch
me gum thi wahi agni ab bujh chuki thi aur saare shadows ki pida bhi kuch hadh tak kam
ho chuki thi aur jaise hi unki peeda kam hui

1st Shadow:- abhi abhi jis agni dwara tumne hume jalte hue dekha hai uss agni ko hum sab
ne khud prajwalit kiya hai hum khud hi uss agni dwara diye pida ko saharsh jhelte aa rahe
hain wo bhi tab se jab tumhara janm tak nahi hua tha aisa kasht jiski tum kalpana bhi nahi
kar sakti aur wo bhi har din har pahar lagatar tumhe lagta hai ki jo aisi pida ko swayam
khud par laakar jhelte hain unhe tumhare dwara saza se koi fark padega kabhi nahi

Bhuvika:- bhale fark pade naa pade par tum logon ko kasht dekar mujhe bada sukoon
milta hai par agar tum mujhe ye bata do ki tum sab ne khudke liye aisi saza kyu chuni toh
mere dwara tum sab ko pida dene se bach sakte ho

2nd Shadow:- aur ye jaankar tumhe kya laabh?

Bhuvika:- laabh naa sahi par kamsekam meri utsukta toh mitegi

1st Shadow:- waise toh hamari khud ko di gayi saza wali baat koi bohat bada raaz nahi hai
kintu agar isse tumhe shaanti milti hai toh hum kuch bhi nahi batane wale tumhe
pahunchne wale kisi bhi tarah ke sukoon ke hum kaaran nahi ban sakte shadows ki baat
sunkar Bhuvika ko firse ghussa aa gaya

Bhuvika:- toh fir dard ke ek anthhin ehsaas aur safar ke liye tayar ho jaao apni baat keh
Bhuvika ne mantra uccharan karne ke liye apne dono haath failaye hi the ki jitna dard
dena hai de dena par usse pehle apni jigyasa shaant kar lo ye awaaz Bhuvika ke piche se
aayi thi aur ye awaaz aur kisi ki nahi balki Beelzebub ki thi

Bhuvika:- tumhe inki khud ko dene wali saza ke bare me kaisa pata? Yeluptus me inke
bare me jaankari dete waqt toh tumne iss bare me kuch nahi bataya tha

Beelzebub:- wo issliye kyu ki uss waqt mujhe khud iss bare me gyat nahi tha Courious se
loutne ke baad jab main wapas father ke paas gaya tha tab maine unse iss bare me pucha
tha aur tab pehli baar father ne iss raaz ke upar se parda hataya tha us waqt tumhe father
ne pehli baar yaha bheja tha issliye tumhe iske bare me pata nahi hai

Bhuvika:- hmm toh fir batao ki in sab ne khud ke liye ye saza kyu chuni?
Beelzebub:- ye sach hai ki jis aag se ye tadapte hainye inki khud ke liye nirdharit ek saza
hai kintu ye sirf aadha sach hai asal baat kuch aur hai Beelzebub ne ye baat samay
sanchalakon ki taraf dekh kar kahi thi Beelzebub ki baat sunkar shadows ko shock laga wo
bhi janana chahte the ki Beelzebub kya janta hai

Bhuvika:- aadha sach matlab?

Beelzebub:- aadha sach issliye kyu ki jis aag se ye khudko jalate aa rahe hain ussi aag ki
wajah se inka astitv bhi zinda hai jahan Bhuvika ko Beelzebub ki baat ka matlab samjh me
nahi aaya wahi shadows ke shock ka level aur badh gaya unhone ye nahi socha tha ki unke
raaz ko Asmodeus janta hoga

Bhuvika:- mujhe tumhari koi baat samjh me nahi aa rahi

Beelzebub:- samjhata hun darasal jo aag in shadows ke neeche prajwalit hoti hai wo koi
aam aag nahi hai balki jeeven bachane wali agni hai tumhe ye toh pata hi hai ki in sab ka
sharir Yeluptus ki zamin ke andar dafan hai kintu sharir kitna hi mazboot kyu naa ho par
bina aatma ke uska samouh patan annivaarya hai inhe apne sharir se alag hue sadiyan
beet chuki hain uske baawajud inka sharir ab bhi Yeluptus ke andar surakshit hai aur iska
kaaran wahi agni hai jo in sab ke neeche prajwalit hoti hai wo agni asal me ek dhaage jaisa
hai jo inke sharir ko inki aatma se jode rakhta hai jab in sab ki aatma inke sharir ke bheetar
thi tab bhi ye agni inke andar thi par sharir aur aatma ke saath me hone ke kaaran wo agni
inhe dard nahi pahunchati thi balki ussi agni se inki urja nirantar kaayam rehti thi par ab
jab aisa nahi hai toh yahi agni inhe dard pahunchati hai

Bhuvika:- toh ye inki saza kaise hui? dard me hi sahiin sab ne khud ko vardan hi diya hai
naa kyu ki aisa karne se inke sharir bache hue hain?

Beelzebub:- haan ye satya hai ki issi agni se inke sharir bache hue hainkintu issi agni ki
wajah se ye moksh prapt nahi kar paa rahe hain aur iska kaaran ye hai ki ye jante hain ki
inke samouh naash se parivartak bhi nasht ho jayega aur aisa hote hi bramhaand ke saare
grahon ki chaal aur disha badal jayegi yahi nahi har grah ki gati aur waqt par bhi prabhav
padega agar ek vaakya me kahu toh inke marte hi pura bramhaand bhi khatam ho jayega
iss agni ki wajah se ye mar toh nahi paa rahe hain par saath saath jee bhi nahi paa rahe
hain toh hua na inka dard inka avishaap bhi aur vardan bhi

Bhuvika:- kya baat hai? agar tum mujhe ye sab nahi bataate toh aisa bhi kuch ho sakta hai
iski main kalpana bhi nahi kar paati jaise hi Beelzebub ki baat khatam hui itni der se shaant
khade shadows me se ek ne apna mouh khola
1st shadow:- tumhare kathan se pata chalta hai ki Asmodeus ko iss sab ke bare me pehle
se gyaat tha fir usne kuch kyu nahi kiya?

Beelzebub:- unhe bhala iss sab se kya matlab? unhone jo chaha wo haasil kiya (parivartak)
ab tum sab khud ko bachao ya maaro isse unhe koi nuksaan nahi is bramhaand ke rehne
naa rehne se tumhe fark padta hai mere father ko nahi

Bhuvika:- waise yaha se nikalne ke baad main tumhare paas hi aane wali thi ye janane ke
liye ki Defender ko tum kaise khatam nahi kar paye ye toh tumhare liye bohat aasaan
hona chahiye tha

Beelzebub:- nahi Bhuvika pichle baar hum dono me se kisika bhi Defender se zyada der
tak mukabala nahi hua tha uske gaayab hone par humne ye socha ki wo humse dar gaya
hai kintu asal me uss waqt usse apne dono grahon ko bachana tha issliye wo gaayab ho
gaya tha humne jitna socha tha Defender usse kayi guna zyada shakti shaali hai issliye hi
toh mujhe usse maarne ke liye apna aakhri astr ka istemaal karna pada par isse pehle hi
usne apne chaahron taraf ek abhedhya kawach bana diya jise main tod nahi paya

Bhuvika:- hmm ye sab toh maine bhi dekha tha kintu mujhe ek baat samjh me nahi aayi

Beelzebub:- kaun si baat?

Bhuvika:- yahi ki wo Grah Setu se bahar aaya hi kyu? mere kehne ka arth hai ki isse usse
kya laabh hua?

Beelzebub:- ye toh main bhi jaanna chahta hun kintu chinta mat karo maine uske kawach
ke charon taraf apni tarange faila di hai jaise hi wo apne kawach se bahar aayamujhe pata
chal jayega aur agle hi pal main uske saamne pahuch jaaunga aur usse mrityu dene se
pehle main sab jaan lunga

Bhuvika:- hmm thek hai chalo jis kaam se aayi thi wo toh kar lun Bhuvika ki baat sunkar
Beelzebub hans diya aur usse haste dekh Bhuvika bhi hans di dono hi hawa me tairte hue
aage badhe ek jagah pahunch dono ruk gaye jis kaam se Bhuvika aayi thi wo kar dono
gayab ho gaye

Planet: Earth Place: Garden

Analia tum thek ho naa Analia jo ab bhi lambi lambi saanse le rahi thi wo iss waqt Avantika
ke kisi sawal ka jawab dene ki haalat me nahi thi Avantika bhi iss baat ko samjh rahi thi
issliye usne aage kuch bhi nahi pucha wo bas Analia ke peeth ko sehlane lagi wahi un dono
se thodi door khada Ronit toh apne hi khayalon me goom tha usse samjh nahi aa raha tha
ki wo kaise react kare Ronit iss waqt ye soch raha tha ki usse apna dukh bohat bada lagta
tha usse lagta tha ki God ne uske saath hi itni zyadati kyu ki par ab wo iss baat ko samjh
raha tha ki God ne uske saath koi zyadati nahi ki infact God kabhi bhi apne bacchon ke
saath kuch galat karne ka nahi soch sakte par iss universe me God ke alawa bhi ek power
source hai jo pure universe ko apne iccha anusar chalana chahti hai aur jab koi uske hissab
se nahi chalta aur uske faislon ke khilaf jata hai toh wo usse saza deti hai Ronit ek tak
Analia ko dekhe jaa raha tha wo soch raha tha ki iss maasoom ko toh ye tak maalum nahi
ki iske saath kaisa khel khela gaya hai aur wo bhi iske janm lene se pehle Ronit ke kaano
me ab bhi Avantika ki wo baatein gunj rahi thi jo usne Analia ke bare me usse batayi thi
Avantika ne jab Ronit ko bataya ki unke saamne khadi ladki Bhuvika nahi balki uski judwa
behan hai toh Ronit ko yakin nahi hua uske baad Avantika ne Ronit ko Analia aur Bhuvika
ki puri asliyat batayi jise sunkar Ronit ka dimag ghum gaya aapko yaad hoga doston ki
Courious ke logon ko shrap mukt karte hi Vj ki shaktiyan wapas aa gayi thi aur jaise hi Vj
ki shaktiyan wapas aayin usse do cheezen pata chali ek toh Asmodeus ka wo shadyantra
jiski wajah se uska wajood usse alag hone wala tha aur iske saath saath Vj ko ek aur baat
pata chali thi jise jaankar wo Asmodeus ke dimag ki taarif karne se khud ko rok nahi paya
tha wo baat yahi thi doston Vj ko pata chal gaya tha ki Bhuvika ki asli sagi behan Nishkalika
nahi balki Analia hai aur apne astitv ko khone se pehle usne iss bare me Avantika ko bhi
bata diya tha ab aapke zehen me sawal uth sakta hai ye kaise ho sakta hai bhala kaha
Courious aur kaha Gluto uske upar Bhuvika ka janm Analia ke janm ke hazaron saal baad
hua tha aur wo bhi ussi maa ki kokh se jis kokh se Nishkalika ne janm liya tha fir Analia aur
Bhuvika ka behan hona kaise sambhav hai toh doston maine pehle bhi kaha tha ki jis kisse
me Asmodeus aur Vikram shaamil hon waha kuch bhi ho sakta hai par isse zyada main
aapko iss bare me filhal nahi bata paaunga aap sab ko iss matter ko samajne ke liye iski
haqiqat se roo baroo hone ke liye abhi thoda intezar karna padega khairAnalia ab thek thi
par thek hote hi wo aankhon me dar liye Ronit ko dekh rahi thi khudke liye Analia ki
aankhon me dar dekh Ronit ko acha nahi laga wo janta tha ki Analia ek simple si ladki hai
jise anjane me hi sahi usne taklif pahuncha di thi par Ronit abhi Analia ko kuch kehna nahi
chahta tha wo chahta tha ki pehle Avantika Analia se baat kar uske dar ko door kare

Avantika:- tumhe darne ki zaroorat nahi hai Analia Ronit tumhe kuch nahi karega

Analia:- par unhone hamara gal kyu dabaya? kya humne anjane me unke saath kuch galat
kiya hai agar kiya hai toh kripiya hume maaf kar dijiye Analia ki bholi bhaali baat sunkar
Ronit ka mann glani se bhar gaya
Avantika:- tum kyu maafi maang rahi ho Analia? tum toh pehli baar yaha aayi ho naa pehli
baar isse mil rahi ho fir tum bhala kaise iske saath kuch bura kar sakti ho?

Analia:- haan wo toh hai par jab ye hamara gala daba rahe the tab ye itne ghusse me the
ki hume laga ki shayad anjane me humse koi galti ho gayi hai Avantika aur Ronit dono hi
Analia ki saadgi bhari baaton ko sunkar soch me pad gaye dono soch rahe the ki kitna fark
hai dono behno me ek ke mann main sirf badle ki bhaavna hai wo bhi ek galat kaaran ko
lekar aur dusre ke mann main tyag kimaafi ki bhaavna hai jabki uski koi galti hi nahi hai

Ronit:- mujhe maaf kardo Analia darasal maine tumhe koi aur samjh kar aisa kiya tha?

Analia:- aap maafi mat maangiye hum aapse maafi maangte hain ki hamare chehre ko
dekh aap jaise ache insaan ke dil ko taklif pahunchi

Ronit:- abhi kuch de pehle hi maine tumhara gala dabaya tha fir tum kaise mujhe ek acha
insaan keh sakti ho?

Analia:- kyu ki aap inke saath hain Analia ne Avantika ki taraf ishara kar apni baat kahi

Ronit:- toh?

Analia:- inki aur hamare kashtharta (Vj) ki wajah se hi toh hamara grah itne saalon ki tadap
se aazad ho paya hai hume bachane ke liye in dono ko swayam bhagwan ne chuna tha aur
aap inke saath hain iska arth ye hai ki aap inke mitr hain jise bhagwan ne hamare uddhar
ke liye chuna hoaise manushya ka mitr toh acha hi hoga naa

Avantika:- tumne bilkul thek kaha Analia ye mere mitr hain par tumhare kashtharta ke ye
sabse ghanisht mitr hain ye jaankar ki Ronit Vikram ka best friend hai Analia bohat khush
ho gayi

Avantika:- ek baat batao Analia tum yaha kaise? itne der se Avantika ke dimag me jo sawal
chal raha tha wo usne Analia se pucha?

Analia:- sabse pehle toh hum aapka dhanyawaad karna chahte hain hum jante hain ki aap
ne jo hamare liye kiya uske badle me maatr ek dhanyawaad kafi nahi haikintu iske alawa
hamare paas aapo dene ke liye kuch nahi hai ye bol Analia ne Avantika ke saamne apne
haath jod liye par Analia ke aisa karte hi Avantika ne jhat se uska haath pakad wapas
neeche kar diya

Avantika:- tumne hi toh abhi kaha tha naa ki tumhe aur tumhare grah ko bachane ke liye
hume bhagwan ne chuna tha toh fir dhanyawaad kaisa? hum wahi kar rahe the jise karne
ke liye hume bhagwan ne aadesh diya tha ab ye sab chhodo aur jo maine tumse pucha
hai uska jawab do tum yaha kaise aayi?

Analia:- wo darasal aap dono ne hamari itni badi madad ki aur fir bina humse mile wapas
chale gaye hume apna aabhar prakat karne ka mouka bhi nahi diya issliye aap dono se
milkar aapko dhanyawaad karne ke liye hum yaha chale aaye Analia ki baaton aur un
baaton ko kehte waqt uske chehre ko Avantika bade gaur se dekh rahi thi usse andaza ho
gaya tha ki Analia ne adhuri baat batayi hai baaki ki baat jo ki asal baat hai wo usse chhupa
gayi hai par Avantika ne iss baat ko filhal ke liye taal diya

Avantika:- itni badi Prithvi me tumhe ye kaise pata chala ki hum tumhe yahi par milenge?

Ronit:- haan ye toh main bhi jaanna chahta hun

Analia:- wo darasal jis couris vriksh par Asmodeus ne kaala jaadu kiya tha jiske phal ko
khaa kar Lord of Angels ne uss vriksh ke andar apni safed urja chhodi aur usse wapas pavitr
kiya ussi vriksh ki madad se hum yaha pahunch paye hain

Avantika:- main abhi bhi nahi samjhi ki tum kya keh rahi ho?

Analia:- darasal baat ye hai ki apni jis safed urja se Lord of Angels ne couris vriksh ko
shraap mukt kiya tha wahi urja ab couris vrikhsh ke andar bhi behti hai jo ki asal me Lord
of Angels ki urja hai aur issi wajah se wo vriksh bhi Lord of Angels se jud chuka hai shayad
ye lord ne issliye kiya tha taaki dobara koi chaahe bhi toh hamare grah ke upar koi kaala
jaadu na kar paye aur naa hi kisi anya tarike se dushit kar paye aapke hamare grah se jane
ke kuch der baad tak ussi vriksh ke phal ko khaane se hum sab couris waasi Lord of Angels
ko mehsoos kar paa rahe the hum sabhi unka dhanyawaad karne hetu unse milne aane
wale the kintu aisa karna thek nahi hota hum apne grah ko jo ki najane kitne sadiyon ke
baad wapas pehle jaisa shraap mukt hua thausse chhodna nahi chahte the aur waise bhi
jaise hamari urja ka shroth couris viriksh me phalne wala phal hai ussi tarah hamare grah
ke urja ka shroth bhi hum hain hum sab ke ek saath jane se hamare saath saath hamari
urja bhi hamare grah se chali jati jiska parinaam acha nahi hota issliye sabne ye faisla kiya
ki un sab ki taraf se main yaha aaun aur Lord of Angels se sabki taraf se dhanyawaad kahu

Ronit:- tum hi kyu? mera matlab tumse bade bhi toh kayi log waha honge naa? unme se
bhi toh koi na koi yaha aa sakta tha naa?

Analia:- haan aa sakte the par main issliye aayi kyu ki main hi wo thi jise sapne me dekh
lord ko hamare grah ke kasht ke bare me pata chala tha
Avantika:- sawal toh ab bhi wahi hai ki tum yaha pahunchi kaise?

Analia:- lord tak pahunchne ka raasta bhi couris vriksh ka phal tha kyu ki usse khaate hi
hum kuch palon ke liye lord ki urja se jud jaate the aur ussi dauran apni aantarik shakti ki
madad se main uss jagah par pahunch sakti thi jis jagah par mujhe lord ki urja mehsoos
hoti thi fir jab maine tay kiya ki aaj main yana lord ke paas aaungi aur issi soch ko sach
banane hetu jab maine courin phal ka sevan kiya pata nahi kyu par mujhe Lord of Angels
ki urja mehsoos hona band ho gayi maine jab ye baat sabko batayi toh un sab ne bhi phal
ka sewan kiya par koi natija nahi nikla kisi ko bhi Lord of Angels ki urja mehsoos nahi ho
paa rahi thi ab hum kuch nahi kar sakte the hum sab bohat nirash ho gaye the nirasha ke
saath saath hume ye dar bhi satane laga tha ki kahi kuch anisht toh nahi ho gaya par Lord
of Angels ko bhala kya taklif ho sakti hai ye sochkar hum khud ko mana lete the aise hi din
beetane lage hum sab har din iss ummid ke saath ki aaj lord ki urja ko hum mehsoos kar
payenge hum phal ka sewan karte par koi faayda nahi hota kintu kuch din pashchat hume
wapas lord ki urja mehsoos hone lagi hum sab behad khush ho gaye kintu ye khushi bhi
kuch hi palon ke liye thi kaaran hum lord ki urja mehsoos toh kar paa rahe the kintu sirf
shan bhar ke liye aur itna samay kafi nahi tha lord tak pahunchne ke liye hume unse aur
adhik der tak judne ki awashaykta thi hum lagatar courin phal ka sewan karne lage iss
ummid ke saath ki hume thodi zyada der tak lord ki urja mehsoos ho taaki hum uss urja
ke kendr ko khud se jodkar un tak pahunch saken par aisa hua nahi kintu aaj itne samay
ke baad hume unki urja thodi zyada der ke liye mehoos hui aur aisa hote hi humne unki
urja ko apne aantarik shakti se jod diya par pata nahi kaise lord ke saamne pahunchne ke
bajaye hum iss udyaan me pahunch gaye (Analia jab yaha pahunchi toh ye wahi time tha
jab Avantika aur Ronit yaha se gaayab hokar Secrilla gaye the)

Analia:- hume laga ki lord yahi kahi honge par kafi der tak dhundne ke baad bhi jab hume
wo nahi mile toh hume bohat bura laga humne apni saari aantarik shakti yaha aane me
laga di thi issliye ab hum yaha se jaa bhi nahi sakte the issliye hum yaha iss jagah baith kar
kafi der se ro rahe the upar wale se prarthana kar rahe the ki hamari madad kare hamari
toh saari aas hi toot gayi thi ki itne me hamari nazar aap par padh gayi par tabhi Analia ko
jaise kuch yaad aaya

Analia:- par aap yaha kaise? aur Lord of Angels kaha hain? unhe toh pata chal hi gaya hoga
ki Courious se koi yaha aaya hai bhala unse kuch thodi na chhupta hai Analia ke sawal par
pehle toh Avantika aur Ronit ne ek dusre ki taraf dekha dono hi soch rahe the ki Analia ko
sach batayen yaa nahi sach na batane ki dono ke hi paas do do wajah thi pehli ye ki Vj ki
condition ke bare me jaankar Analia ko dukh pahunchta aur dusri ye ki Vj ki condition ke
bare me sunkar shayad Analia ke mann main ye dar baith jaye ki jab Lord of Angels hi
surakshit nahi hain toh fir unke saath dobara kuch galat hona kaun si badi baat hai par in
dono soch ke upar ek soch aur thi jo in dono sochon par bhaari thi aur wo ye ki Analia bina
apni parwaah ke apne grah se laakhon light years door Prithvi par bas Vj se milne usse
thanks kehne aayi hai bina iss baat ke bare me soche ya fikr kiye ki agar Vj yaha usse naa
mila toh shayad aisa koi bhi dusra nahi hai jo usse wapas uske grah me pahuncha paye
aur issliye

Avantika:- filhal Vj nahi aaya hai yaha aur usse iss baat ka abhaas tak nahi hai ki tum yaha
aayi ho Avantika ki baat sunkar Analia chonki

Analia:- par ye kaise mumkin hai jis tarah se couris vriksh ke maadhyam se hum unse jude
hue hainussi tarah wo bhi toh vriksh ke maadhyam se humse jude hue honge naa aakhir
unhi ki urja hi toh abhi hum saare Courious waasiyon ke andar beh rahi hai

Avantika:- tum sab ke andar Lord of Angels ki urja beh rahi hai Analia Vikram ki nahi

Analia:- hum samjhe nahi dono toh ek hi hain naa

Avantika:- ab nahi Vikram se uski urja alag ho gayi hai aur ye ussi waqt hua tha jis din se
tum sab ko uski urja mehsoos hona band ho gayi thi Avantika ki baat ko sunkar Analia ko
samjh nahi aaya ki wo kaise react kare wo thagi si Avantika ko dekh rahi thi ya fir ye kahu
ki uski baaton ko samjhne ki koshish kar rahi thi

Analia:- hume abhi bhi samjh nahi aa raha ki aap kya keh rahi hain Lord of Angels se unki
pehchaan kaise chhin sakti hai fir Avantika ne shuru se Analia ko sab kuch bataya jaise
jaise Avantika saari baat batae jaa rahi thi Analia ke aakhon se aansuon ki dhaar si nikalne
lagi thi khaas kar ke iss baat ko jaankar ki Vikram ki ye haalat unhi ko bachane ki wajah se
hui hai Analia soch rahi thi ki naa toh Vikram Courious aateaur naahi unse unki pehchan
alag hoti Analia ke aansuon ko dekhkar Avantika bhi ye samjhne lagi thi ki kahi na kahi
Analia khudko aur apne planet ko Vikram ka gunahgaar maan rahi hai

Avantika:- Analia agar tum ye soch rahi ho ki tum aur tumhare grah ke log Vikram ki iss
haalat ke zimmedar hain toh tum galat ho ache logon ko buri shaktiyon se bachana unki
bigdi haalat ko sudharna hi Vikram ka farz hai issliye hi uska janm hua hai aur kabhi kabhi
apne farz ko nibhate waqt kuch kurbaniyan deni padti hain ye kurbaniyan bhi uss farz ka
hi ek bhaag hai toh apne aap ko dosh dena band karo aur fikr mat karobohat jald Vikram
ko unki pehchaan unka ohda wapas mil jayega Avantika ki baat sunkar Analia ko thoda
chain aaya par tabhi uske mann main ek dusre sawal ne ghar kar liya
Analia:- par kuch samay se hum sab unki urja ko mehsoos kar paa rahe the aur aaj toh kafi
der tak humne unki urja ko mehsoos kiya issliye toh hum yaha unse milne aa paye agar
unki urja unke paas nahi hai toh fir hum kisse mehsoos kar rahe the

Avantika:- tum Vikram ke urja ko hi mehsoos kar rahi thi par wo urja iss waqt Vikram ke
paas nahi balki mere paas hai Avantika ki iss baat ko sunkar Analia buri tarah chonki

Analia:- kya par ye kaise sambhav hai

Avantika:- sambhav hai Analia kyu ki main Vj ki shakti hun iske baad Avantika ne Analia ko
apna sach bataya aur ye bhi bataya ki Vj ne kis tarah apni urja ko uske hawale kiya tha
Avantika ki saari baaton ko sun Analia kuch der tak ek tak Avantika ko dekhti rahi uske
mann main kuch chal raha tha jis wajah se uske aankhon me kuch tha jo Avantika
pehchaan nahi paa rahi thi par tabhi Analia Avantika ke aage jhukti chali gayi

Avantika:- arre ye kya kar rahi ho

Analia:- chaahe jis bhi roop me hopar iss waqt Lord of Angels ki urja mere saamne hai
main ussi ko naman kar rahi hun

Avantika:- iski koi zaroorat nahi ye kehkar jaise hi Avantika ne Analia ko uthane ke liye
uske kandhe ko chhua

Avantika:- oh shit Avantika ki awaaz kuch tez thi jise sunkar Ronit bhi chonk gaya Ronit ko
yaad aaya ki kuch der pehle bhi Avantika ne oh shit kaha tha aur uska result Analia ke roop
me ek bohat bade jhatke ke roop me laga aur ek baar firse Avantika ne wahi shabd kahe
hai iska matlab abhi firse ek aur jhatke ki baari hai jahan Avantika Analia ko uthane ke
baad ek tak usse dekh rahi thi wahi Analia bhi Avantika ko dekh rahi thi

Avantika:- Analia sach batao tum yaha kyu aayi ho? aur agar tumne jhoot kaha toh main
tumhe bina Vikram se milaye bina wapas bhej dungi iss baar Avantika ki awaaz thodi kadak
thi Avantika ki baat sunkar Ronit chonka par wo chup hi raha wo janta tha ki Avantika bina
wajah aise behave nahi karegi Analia bhi Avantika ki baat aur baat sunkar pehle toh
shocked hui par fir uske chehre par dar ke bhaav aa gaye

Avantika:- sach bolne se daro mat sach bologi toh main waada karti hun ki main kuch nahi
kahugi par agar jhoot bola toh mujhse bura koi nahi hoga iss baar Avantika ki awaaz me
aur sakhti thi jise sunkar Analia ka dar aur badh gaya par Avantika ke waade ki wajah se
usse thoda housla bhi aaya tha aur issliye

Analia:- hum Vikram se prem karte hain


what Analia ki baat sunkar Ronit itni zor se cheekha ki aas paas ke logon ki nazar bhi uspar
chali gayi wahi Analia ne toh apni baat kehkar sar jhuka liya tha usne apni dil ki baat keh
toh di par ab uska wahi dil aage ke anjaam ke bare me soch kar zor zo se dhadak raha tha
ab apne pyaar ka confession karna wo bhi uss ladke ke liye jiski gf abhi ussike saamne
khadi ho aur gf bhi kaisi jiske andar iss bramhaand ke Lord of Angels ki urja tak ko khud
me sametne ki shakti ho toh dar lagna toh laazmni hi hai wahi iss scene ki mukhya bindu
matlab Avantika toh Analia ke confession ke baad se hi kisi gehri soch me chali gayi thi
Ronit ki cheekh toh jaise usne jaise suni hi nahi thi kuch der tak apni soch me goom rehne
ke baad jab Avantika waastavikta me waapas aayi toh uska dhayan aur nazar Analia ki
taraf gaya jo iss waqt sar jhukayee khadi thi Avantika ko ehsaas ho gaya ki uske darane ki
wajah se Analia ne sach toh bata diya par ab wo ghabra rahi hai Avantika janti thi ki Analia
white energy ka ek bohat purana aur respectable shorth hai wo uss grah se belong karti
hai jis grah ki achayi pure bramhaand ko sakaratmak urja deti hai issliye Avantika ko Analia
ka yun usse darna acha nahi laga

Avantika:- Analia tumhe darne ki zaroorat nahi hai main tumse bilkul naraz hun infact
main khush hun ki tumne darte hue hi sahi par apne dil ki baat sach sach batadi Avantika
ki baat sunkar jahan Analia ne chain ki saans li wahi Ronit ke liye ye dusra jhatka tha usse
samjh nahi aaya ki Avantika Analia ki baat ko itna casually kaise le rahi hai aur issliye

Ronit:- Avantika kuch baat karni hai mujhe tumse Analia tum yahi rukohum aate hain ab
Analia kya kehti usne chup chaap haan me apna sar hila diya wahi Avantika samjh rahi thi
ki Ronit usse kya baat karna chahta hai aur usse bhi Ronit se akele me hi ya fir ye kahu ki
Analia se door jaakar hi baat karna thek laga issliye wo aur Ronit chalte hue thoda aage
nikal gaye

Ronit:- are u out of your mind tumhari tabiyat toh thek hai naa ya fir Analia ki baat ka
jhatka zyada zor se lag gaya tumhe Analia se kuch door agar Ronit ne dabi hui par stressfull
awaaz me Avantika se apne sawal puche par Avantika Ronit ke sawal par jawab dene ke
bajaye hans di

Ronit:- ab toh sure ho gaya hai ki tumhara dimag hil gaya hai saala ab kya karun tujhe Dr
ke paas bhi nahi lejaa sakta tune itni zyada maatra me white energy ka stock rakha hua
hai ki kahi uska zara sa bhi impact Dr ko lag gaya toh bechara wahi nipat jayega

Avantika:- maar khaani hai

Ronit:- haan ye thek rahega main naa tere sar par zor se maarta hun shaayad tab tera
dimag wapas kaam karna shuru kar de
Avantika:- tu kya bakwaas kiye jaa raha hai? mera nahi tera dimag thekane par nahi hai

Ronit:- mere dimag ko kuch nahi hua tera dimag sahi jagah se khisak gaya hai waha kya
bol rahi thi tu usse main tumse bilkul naraz hun infact main khush hun ki tumne darte hue
hi sahi par apne dil ki baat sach sach batadi Ronit ne Avantika ki kahi hui baat itna mouh
bana banakar kahi jise dekh Avantika ko hasi aa gayi

Ronit:- lo ab hans rahi hai arre usne kisi random ladke ke liye apni feeling express nahi ki
tere boyfriend ke liye ki hai uspe bhadakna chhod tu usse itni casual hokar baat kar rahi
hai teri jagah agar Anju iss shabd ke aage bolne se pehle Ronit kuch seconds ke liye chup
ho gaya usse Anjali ka chehra yaad aa gaya tha jise usse taklif hui Avantika bhi iss baat se
anjaan nahi thi par wo chup hi rahi kuch seconds ke halt ke baad apne emotions ko kaabu
kar Ronit ne apni baat aage badhayi

Ronit:- agar teri jagah Anju hoti aur koi ladki mujhse pyaar karne ki baat kehti toh Anju
uss ladki ka mouh tod deti usse tab tak maarti jab tak uske dimag se pyar ka bhoot nahi
utar jata

Avantika:- yahi toh aap maat khaa gaye Ronit sir pyar dil se kiya jata hai dimag se nahi
pyar se waar se maar se haar se ladhayi se judayi se rishte me bewafayi se in short kisi bhi
wajah se pyar khatam nahi hota aur jo khatam ho jaye wo pyar nahi hota Anju kisi aisi
ladki ko maar kar jo tujhe pyar karti haiapni frustration toh mita sakti thi par agar uss ladki
ke dil me sach me tere liye pyar ki bhaavna hoti toh Anju kya God bhi uss bhawna ko uske
dil se nikal nahi paate Ronit Avantika ki baat bade dhayan se sun raha tha bol toh Avantika
hi rahi thi par Ronit ko firse aisa lag raha tha jaise uske saamne uska dost khada hokar
apni baat rakh raha hai wahi confidence wahi solidity wahi tarika iss waqt Ronit ko
Avantika aur Vj do nahi balki ek lag rahe the aur issliye

Ronit:- aaj kal jab bhi tujhse baat karta hun samjh me nahi aata ki mere saamne tu hi hai
ya fir tera roop liye Vj khada hai

Avantika:- main aur Vj toh ek hi hain

Ronit:- exactly aur issliye toh puch raha hun ki kya tujhe ye jaankar bura nahi laga ki Analia
bhi Vj se pyar karti hai

Avantika:- tu bachpan se hi Anju se dil hi dil me pyar karte aaya hai naa Avantika ki baat
sunkar pehle toh Ronit chonka par fir usse yaad aaya ki Vj ki urja jo ki iss waqt Avantika
ke enadr haiuski wajah se Avantika ko Vj aur usse judi uski purani yaadon ke bare me sab
kuch pata hoga
Ronit:- haan par usse mere sawal ka kya lena dena?

Avantika:- lena dena hai tu pehle ye bata ki jab tujhe ye pata tha ki bachpan me Anjali ke
dil me Vj ke liye feelings thi ye janane ke baad bhi kya tere dil me Anju ke liye feelings thi?

Ronit:- haan thi sirf issliye kyu ki Anjali ke mann main mere liye uss waqt feelings nahi thi
main kyu apni feelings Ronit apni baat puri karta usse pehle hi uske dimag me Avantika
ke sawal puchne ka maksad click kar gaya aur issliye wo bolte bolte ruk gaya

Avantika:- tu kyu apni feelings dabayega yahi kehna chahta tha naa? Ronit ne haan me
sar hilaya

Avantika:- thek waisa hi case abhi bhi toh hai naa Vj mujhse pyar karta hai main usse pyar
karti hun par iska ye matlab toh nahi hai naa ki kisi third person ke mann main hum dono
me se kisike liye feelings nahi aa sakti ab Analia ke mann main Vj ke liye feelings hai toh
hai Analia hi kyu najane kitni hi ladkiyan hongi jinke mann main Vj ke liye feelings hongi
toh kya main sabse jaakar ladhti rahun unki feelings hai wahi deal kare mujhe kya?

Ronit:- aur agar kabhi aisa hua ki Vj ke mann main bhi kisi aur ne ghar kar liya toh aise me
kya tu comfortable feel kar payegi kya uss ladki ko accept kar payegi?

Avantika:- Vj sirf mera hai Ronit sirf mera hamari jodi beshak God ne banayi hai par agar
ab wo khud bhi chaahe toh iss jodi ko naa toh tod sakta hai ya fir kisi third person ko beech
me laakar twist paida kar sakta hai and u know why? kyu ki mohobbat khud apne aap me
khuda hai jo sirf do logon ke beech panapta hai

Ronit:- aur agar koi teesra beech me aa gaya toh

Avantika:- fir wo mohobbat kaha rahi wo toh hawas ho gayi fir chaahe jaisa bhi
explanation do apne point ko proove karne ke liye wo feeling kuch bhi ho sakti hai par
mohobbat nahi ho sakti

Ronit:- wow kya baat hai

Avantika:- ab chalen wo bechari kab se akeli khadi hai

Ronit:- haan chal par yaar ek baat ab bhi samjh nahi aayi? tu ne bataya tha ki tum dono
bohat kam waqt tak Courious me rahe the aur jahan tak main andaza laga sakta hun uss
kam waqt me bhi Vj ne iss ladki ke saath personally akele me koi quality time toh bitaya
nahi hoga fir isse Vj se pyar kaise ho gaya?
Avantika:- ye toh main bhi janana chahti hun chal ussi se puchte hain jab se wo dono gaye
the Analia ki nazar un par hi thi iss waqt bhi wo un dono ko hi dekh rahi thi aapas me baat
karte hue Avantika aur Ronit Analia ke paas pahunch gaye

Analia:- aap humse naraz nahi hain Avantika ke saamne aate hi Analia ne usse sawal kiya?

Avantika:- nahi

Analia:- kya hum jaan sakte hain kyu? aap toh lord se pyar karti hain naa

Ronit:- nahi tum nahi jaan sakti actually tum jaan toh jaaogi par samjh nahi paaogi ye aise
aise bhaari bharkam logic ke ball fekegi ki samjhne se pehle hi tum out ho jaaogi isse pehle
ki Avantika Analia ko jawab deti Ronit bol pada jise sunkar jahan Avantika hans padi wahi
Analia ko kuch samjh nahi aaya

Analia:- hum samjhe nahi

Ronit:- samjha bhi den toh bhi samjh nahi paaogi issliye jane do Analia ko Ronit ki baat
bhi samjh nahi aayi par fir bhi usne apni mundi haan me hila di

Avantika:- acha Analia ye batao ki tumhe Vikram se pyar kab hua? mera matlab hai hum
toh kuch hi der tak tumhare grah me the aur uss waqt bhi Vikram ne tumhare saath bilkul
waqt nahi bitaya tha fir tumhare mann main uske liye itne gehre jasbaat kaise paida hue?

Analia:- ye toh hum bhi nahi jante jab humne pehli baar unhe dekha tabhi se hume unke
prati ek baari eehsaas mehsoos hua jitne waqt tak wo hamare grah me theshraap ki wajah
se hume jo dard hota thawo bhi hume mehsoos nahi ho raha tha fir jab wo chale gaye toh
hamare hriday me ek tees si uthi unke jane ke kayi dino baad tak bhi jab hum sirf unhi ke
bare me sochte rahe tab hume ehsaas hua ki hum unse prem karne lage hain hum unse
aapko chhenna nahi chahte hum toh bas unse milkar ek baar unhe apne hriday ki baat
kehna chahte hain

Avantika:- cheenaa koi mujhse Vikram ko nahi chheen sakta Analia kyu ki Vikram se hi
main hun aur mujhse hi Vikram hai hum dono ka wajud hi ek dusre se milkar pura hota
hai rahi baat tumhare jasbaaton ki toh wo tum beshak Vikram se keh sakti ho main tumhe
nahi rokungi par abhi nahi abhi Vikram uss haalat me nahi hai ki tumhare kya kisi ke bhi
jasbaat ko samjh sake

Analia:- kya hum unse mil sakte hain?


Avantika:- haan bilkul par abhi nahi abhi raat ho gayi hai abhi uske ghar jana thek nahi
hoga tum ek kaam karo mere saath mere ghar chalo kal subah hum Vikram se milne uske
ghar jayenge Avantika ki baat Analia khushi khushi maan gayi

Avantika:- chal fir kal morning 10 baje Vj ke ghar me milte hain

Ronit:- thek hai aur sun isse Vj ke bare me bata dena

Analia:- lord ke bare me aur kya batana hai unki urja unse chhin gayi haiye toh aap hume
bata hi chuki hain

Avantika:- yaha se chalo batati hun Ronit ko bye bol Avantika aur Analia garden se bahar
nikal car ke paas aa gaye

Avantika:- baitho

Analia:- ye kya vastu hai? Analia ne car ki taraf ungli dikhate hue kaha

Avantika:- ye waha ki ek tarike ki car hai

Analia:- arre waah par iska pashu kaha hain

Avantika:- pashu wo kisliye?

Analia:- isse chalane ke liye

Avantika:- isse chalane ke liye kisi pashu ki zaroorat nahi padti

Analia:- fir ye kaise chalta hai?

Avantika:- baitho batati hun Analia aur Avantika car me baith gaye Avantika ne car start
karke aage badha di Analia bade jigyasa se car ke har chiz ko chhu chhu kar dekh rahi thi
Avantika ne usse car ke bare me sab kuch bataya jise sunkar Analia shocked ho gayi kuch
der tak yunhi idhar udhar ki baat karne ke baad Analia ko achanak Ronit ki kahi baat yaad
aayi

Analia:- wo Ronit ji kis bare me baat kar rahe the?

Avantika:- darasal baat ye hai ki Vj ki urja chhinne ki jo wajah hai uski wajah se Vj ke
behaviour mera matlab uske swabhav me badlao aaya hai wo sidhi tarah kisi se baat nahi
karta har baat ka ulta hi jawab deta hai issliye agar tumhare saath bhi wo aisa bartaav
kare toh dil par mat lena

Analia:- wo hamare sankat harta hain bhala unki baat ka hum bura kaise maan sakte hain
Avantika:- good then toh chalo pehle tumhare liye kuch kapde le lete hain

Analia:- kyu hamare kapdon me kya kharabi hai

Avantika:- kharabi kuch nahi hai bas ye kapde hamari duniya me fit nahi baithte darasal
Analia ne ek white lamba gown ke jaise dress pehna hua tha aur iss kapde me usse ghar
lejana Avantika ko unappropriate laga issliye sabse pehle Avantika Analia ko lekar ek
botique gayi aur Analia ke liye kuch dresses kharide

Analia:- ye aapne kaise kaise vastra khariden hain hamare liye hume bilkul pasand nahi
aaye

Avantika:- tum yaha ki nahi ho issliye aisa keh rahi ho par yaha ke log aise hi kapde
pehente hain aur jab tak tum yaha ho tab tak tumhe bhi yaha ke logon ki hi tarah kapde
pehenane padenge dresses lene ke baad Avantika ne raaste me Analia ko bata diya tha ki
wo uske ghar me zyada kisi se baat naa kare bas itna bataye ki wo Avantika ke kisi friend
ki behan hai jo Mumbai ghumne aayi hai

Avantika:- arre main toh bhul hi gayi tum toh subah se yaha ho naa kuch khaaya bhi nahi
hoga tumne aur tum toh courin phal ko chhodkar kuch khaati bhi nahi ho ab kya kare?

Analia:- chinta mat kijiye waise toh hum Courious waasi din me do baar phal ka sevan
karte hain kintu ek baar phal khaane ke baad hum sab ek maah tak bina kuch khaaye reh
sakte hain

Avantika:- really ek mahine tak nahi khaane se bhi tumhe kuch nahi hoga

Analia:- hamare sharir ki urja thodi kam ho jayegi par ye koi badi baat nahi hai hum theek
rahenge

Avantika:- (mann main) ummid hai ki Vj jaldi theek ho jaye Analia ko dobara apne ghar
me kya kehna hai ye samjha kar Avantika usse lekar apne ghar pahunchi jaisa ki socha tha
Avantika ne Analia ko intro apne ghar me apne friend ki behan ke roop me bataya Analia
ki language shudh hindi thi jise sunkar ghar walon ko pehle toh ajeeb laga par jab Avantika
ne bataya ki Analia bachpan se hi ayurvedh padh rahi hai aur ussi wajah se uski language
itni strong ho gayi hai toh sab normal ho gaye Shanaya bhi bohat jaldi Analia se ghul mil
gayi dono chit chat karne me lag gayin

Avantikas room

Shanaya:- waise babes tu hai badi beautiful


Analia:- bootyfull arthath Analia ke mouh se bootyful sunkar Shanaya ke saath saath
Avantika bhi hans di

Shanaya:- bootyfull nahi beautiful matlab khubsoorat

Analia:- ohh waise sundar toh aap bhi bohat hain main toh kahugi ki aap sundarta ki
parikashtha hain aur ho bhi kyu naa aap Avantikaji ki behan jo hain

Shanaya:- parikashtha as in? matlab?

Avantika:- parikashtha matlab last level what she means to say iss that u have the last
level beauty

Shanaya:- oh really thank u babes

Avantika:- ek dusre ki taarif ho gayi ho toh so jayen kafi late ho gaya hai

Shanaya:- all right then good night girls

Avantika:- good night

Analia:- shubhraatri jahan Analia aur Shanaya turant so gaye wahi Ronit apne dost ki aur
Avantika apne pyaar ko theek karne ki kuch der tak dua karte rahe aur fir dono ne apni
apni aakhen band kar li iss baat se anjaan ki kal kahani firse ghumne wali hai

Planet: Cross World Place: Inside Cave

seikilos epitaph seikilos epitaph Black opostles jo ki iss waqt ek bade se cube ko jisme se
alag alag rang ki roshni nikal rahi thi usse charon taraf se ghere ek ancient language me
iss gaana ko zor zor se gaa rahe the ya fir ye kahu ki ye saath Black opostles kafi waqt se
iss gaane ko gaa rahe the gaana khatam hote hi wo sab kuch der tak apne haathon uss
cube ke saamne rakhte the maano aag ki tarah uss cube se apne haathon ko sekh rahe
hon aur kuch der baad wapas apne dono haath faila kar ek dusre ke kandon me rakh
jhoomte hue wo dobara issi gaane ko gaana shuru karte the abhi abhi unka gaana khatam
hua tha aur wo saath opostles apne haath aage kar cube ke saamne kiye hue the kuch der
tak aisa karne ke baad jaise hi unhone apne apne haath wapas kheench ek dusre ke
kandhon par rakhe taaki dobara gaana shuru kar saken tabhi

kya wo tayar hai? ye awaaz pure cave me gunj gayi awaaz ke gunjte hi saathon Dark
opostles jinki peeth awaaz ke taraf thi wo ghum gaye par unhone apne saamne khade
awaaz ke malik ko nahi dekha ya fir ye kahu ki dekhne ki koshish tak nahi ki palate hi wo
seven Dark opostles apne ghutno par jhuk gaye jise ye saaf pata chal raha tha ki unhe pata
tha ki unke saamne kaun khada tha

hi hail Asmodeus uss gufa ke andar un seven Dark opostles ki awaaz ek saath gunji apne
lord ko greet karne ke baad wo sab dobara cube ki taraf mod gaye aur ek baar firse uske
saamne apna haath kiya par iss baar un sab ke cube ke saamne haath karte hi wo cube
hawa me uth gaya aur waise hi hawa me tairta hua wo cube Asmodeus ke paas pahunch
ruk gaya

Opostles:- ye tayar hai cube ke rukte hi ek baar firse uss gufa me un opostles ki awaaz
gunj uthi jahan Asmodeus ki aankhon me uss cube ko dekhkar ek chamak thi wahi uske
saath aaye Beelzebub ki aankhon me dher saare sawal the darasal Beelzebub pehle bhi
kayi baar Cross World aa chuka hai par fir bhi do chizon se ab tak anjaan hai pehli toh ye
ki Cross World hai kahan? Beelzebub ko iss bramhaand ke har black aur white worlds ke
bare me pata hai par wo aaj tak ye nahi jaan paya ki Cross World hai kahan? jitne baar bhi
wo yaha aaya hai Asmodeus ke saath hi aaya hai ya fir ye kahu ki Asmodeus hi usko har
baar yaha lekar aaya hai har grah tak pahunchne ke liye jin grah binduon se hokar guzarna
hota hai Cross World tak pahunchne ke liye Beelzebub ko wo grah bindu kabhi dikhe hi
nahi usne bohat koshish ki yaha aane ke maarg ke bare me pata lagane ki par kabhi laga
nahi paya aur dusri baat hai khud Dark opostles ki haqiqat se Beelzebub ab tak anjaan hai
usse bilkul bhi idea nahi hai ki Asmodeus ke ye seven Dark opostles aakhir hain kya chiz?
darasal Dark opostles Beelzebub ke janm ke pehle se hi Asmodeus ke saath hain jab se
Beelzebub ne Dark opostles ko dekha hai tabhi se wo unke bare me sab kuch janana
chahta hai aur khaas kar aaj jo song wo gaa rahe the usse sunkar uski jigyasa aur badh
gayi thi actually pure song ke bare me nahi bas song me istemal hua pehle do word ke
bare me Beelzebub janana chahta tha kyu ki pehle do words ke baad jo song Dark opostles
gaa rahe the wo Beelzebub pehle bhi kayi baar sun chuka tha wo janta tha ki wo song ek
black energy observer hai wo song asal me ek enchantment hai ek black spell hai jiske
uccharit hote hi bramhaand me faili har burayi har negetive energy ki power Asmodeus
ko nirantar milti rehti hai par aaj uss song me do words add hue the (seikilos epitaph) jise
uccharit karne ke baad hi dark apostles song gaa rahe the Beelzebub issi bare me jaanna
chahta tha par usse lag raha tha ki agar wo Asmodeus se kuch puchega toh har baar ki
tarah Asmodeus usse taal dega par mann ki adhirta ka kya kare ye zuban ko khol hi deti
hai Beelzebub ne ek baar firse Asmodeus se cross worlds kaDark opostles ka aur song se
pehle uccharit hue un do words ka matlab janane ki sochi wo kuch puchne hi wala tha ki
Asmodeus:- vakam zayam prakatam hidden life appear Asmodeus ke spell bolte hi uske
saamne hawa me ruka cube jise alag alag colours ki roshniyan nikal rahi thi wo roshniyan
aur tez chamakne lagi kuch der tak yunhi tez chamakne ke baad wo cube do bhaagon me
batne laga cube ke beech teen white rays thi jise dekhkar Beelzebub shocked ho gaya

Reason:- un white rays me bohat adhik maatra me white energy thi jise Beelzebub feel
kar paa raha tha Bhuvika ki wajah se ab Beelzebub bhi white energy ko aaram se jhel leta
tha warna jitni maatra me un white rays me white energy thi agar pehle wala Beelzebub
hota toh dard ki atyadhikta se behosh ho chuka hota khair jaise hi wo white rays uss cube
ke beech se bahar nikle cube wapas jud gaya wo teeno white rays hawa me tairte hue
Asmodeus ki taraf aaye Asmodeus ne apna ek haath aage kar diya tha jiske upar wo teeno
white rays aakar ruk gayi pravesham enter Asmodeus ke dobara spell bolte hi wo teeno
rays ek ke baad ek Asmodeus ke andar chale gaye jaise hi teeno rays Asmodeus ke andar
gaye Asmodeus ko uss jagah par jahan se rays andar gaye theek jhatka laga par usne
pratyaksh me kuch bhi zaahir nahi hone diya Asmodeus ne apna haath aage kiya wo cube
wapas hawa me tairta hua wapas apni jagah par chala gaya

Asmodeus:- tum sab ko pata hai ki tumhe kya karna hai? Dark opostles ne Asmodeus ki
baat sun apna sar haan me hilaya aur agle hi pal saare Dark opostles ek ke baad kaale
dhuen me tabdil hokar uss cube me samane lage kuch hi palon baad uss gufa me
Asmodeus aur uske bete ke alawa aur koi nahi tha

Asmodeus:- tum kuch puchne wale the? Beelzebub jo aakhne faade jo bhi hua usse
samjhne ki koshish kar raha tha Asmodeus ki awaaz sunkar apni soch se bahar aaya

Beelzebub:- haan kya haan wo father darasal main

Asmodeus:- iss grah ke bare me Dark opostles ke bare me wo jo gaa rahe the uske aage
wo jo naye do shabd ka prayaog kar rahe theuske bare memere andar samane wali teeno
urja ke bare meDark opostles cube ke andar kyu gayeyahi sab janana chahte ho naa

Beelzebub:- yes father

Asmodeus:- ye jante hue bhi ki tumne pehle bhi kayi baar iss grah aur Dark opostles ke
bare me mujhse pucha hai par aaj tak maine tumhe naa toh tumhe iss grah ke bare me
kuch bataya hai aur naa hi Dark opostles ke bare me Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub
nirash ho gaya usse laga ki aaj bhi Asmodeus usse kuch nahi batayega
Asmodeus:- iss grah ke bare me toh main tumhe kuch nahi bata sakta par haantumhare
mann main umad rahe kuch sawalon ke jawab dekar tumhari jigyasa ko kuch kam zaroor
kar sakta hun Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub ki aankhon me chamak aa gaya

Asmodeus:- seikilos epitaph yahi wo do shabd hain jo mere opostles gaane se pehle bol
rahe the un do shabdon ka matlab power the cube hai uss gaane ke bare me toh tum
jante hi ho wo gaana asal me ek aisa mantra hai jise meri shaktiyon me nirantar izafa hota
hai par agar uss gaane ko ya fir ye kahu uss enchantment ko bolne se pehle agar seikilos
epitaph in shabon ka istemaal kiya jaye toh iss bramhaand ki saari kaali aur safed urja ke
kan uss cube me samate hainjise wo aur sashakht ban jata hai

Beelzebub:- par kisliye aur uss cube ko shashakt karne ki kya awashaykta hai?

Asmodeus:- sahi samay aane do pata chal jayega

Beelzebub:- aur wo white rays jo uss cube se nikalkar aapme samayi wo kya thi?

Asmodeus:- uska uttar bhi main tumhe abhi nahi de sakta par haan itna bata sakta hun ki
un teeno rays me se ek ray tumhare liye thi Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub chonka

Beelzebub:- mere liye matlab? aur agar wo mere liye thi toh aapne mujhe kyu nahi di

Asmodeus:- surya ki kirane usse milne wala prakash bhi har kisika hota hai kintu kya koi
bhi surya ko apne paas rakh sakta hai? nahi wo jal jayega thek waise hi wo ray tumhare
liye zaroor hai kintu tum usse jhel nahi paaoge

Beelzebub:- kintu wo hai kya?

Asmodeus:- agar batana hota toh kya main sab kuch ek saath nahi bata deta? uss ray ke
bare me jaanne ka bhi abhi sahi samay nahi aaya hai

Beelzebub:- aur Dark opostles ke bare me kya unke bare me main jaan sakta hun

Asmodeus:- Dark opostles meri shakti ke rakhwale hain unhi ke maadhyam se meri shakti
badhti hai

Beelzebub:- ye toh main janta hun main ye janana chahta hun ki Dark opostles asal me
hainn kaun? mera matlab hai ki bramhaand me faili kaali urja ke saath saath safed urja
bhi moujud hai aapne hi bataya tha ki pehle sirf safed urja thi kaali urja ka nirman toh
aapne kiya hai aur wo bhi safed urja ke bhitar se manushya ke mann main panapne wale
paap ke kaaran unki safed urja ke andar kaali urja paida hoti hai kintu wo rehti toh safed
urja ke bheetar hi hai un safed urja ke bhitar se kaali urja ko nikalna aapke siwa aur kisi se
kaise sambhav ho sakta hai? Asmodeus jo ki Beelzebub ke sawal ko pehle se janta tha par
fir bhi apne putra ke sawal ki khatam hone ki pratiskhsa kar raha tha aur jaise hi Beelzebub
ka sawal khatam hua Asmodeus ne apna right hand saamne hawa me ghumaya aur agle
hi pal hawa me ek drishya dikhne laga ya fir ye kahu ki dark oppostles ki sachayi dikhne
lagi jise dekhkar Beelzebub ko ab tak ka sabse bada jhatka laga wo ek tak apne father ko
dekhne laga jo drishya Beelzebub ne dekha tha aur hajam karne ki koshish kar raha tha
ussi drishya ko Asmodeus ne bol kar confirm kiya

Asmodeus:- bramhaand ke aarambh me Dark opostles bhi meri hi tarah angels the Planet:
Earth

Place: Menakshi Mansion

good morning aunty

good morning beta subah ke karib 9:30 baj rahe the jab Ronit Vj ke ghar pahuncha hall
me hi meri mom baithi thi jinhe dekhkar Ronit ne greet kiya

Ronit:- aunty bhook lag rahi hai apne haathon ka kuch yum khila do naa

Main:- thappad khaa le sabse yum wahi hai isse pehle ki meri mom kuch jawab deti maine
de diya

Mom:- mera thappad itna yum hai toh pehle tu hi khaa le

Main:- mom match khelne se pehle practice karni padti hai pehle aap practice karlo fir
match khel lena

Mom:- kaisi practice? kya bol raha hai tu?

Main:- thappad maarne ki practice aaj tak aapne machar bhi nahi maara aur ab aap sidhe
mujhe maarne ki baat kar rahe ho try mosquitos for some time and than come to me for
the slap match

Mom:- badmaash apni mom ki taang kheenchta hai ruk zara batati hun tujhe sara match
aaj hi khatam kar dungi ye bol mom mujhe maarne aayi par main apni jagah par khada
raha aur jaise hi mom mere saamne pahunchi maine thappad khaane ke liye apne gaal
aage kar aankhen band kar li par agle hi pal mom ke honth mere gaal ko chu rahe the
mom ne mujhe maara nahi balki mere gaal ko chum liye

Ronit:- kya aunty? mujhe laga aaj isse thappad khaata dekhunga kitna maza aayega par
aapne toh mere saare armaano par paani fer diya
Main:- jali teri awww chal ab bhaag yaha se

Ronit:- teri sadi shakal dekhne nahi aaya hun aunty bhook lagi hai

Mom:- tu baith main breakfast lekar aati hun

Main:- kya zaroorat hai mom jitna bhi khila lo iss bhukkad ka pet nahi bharega

Mom:- toh naa bhare main khilati jaaungi ye bol mom kitchen ki taraf chal padi

Ronit:- lagta hai ab teri jali ahhh saale kamine kutte

Main:- tere ye saare naam aur inke goon mujhe pata hai dobara kyu bata raha hai waise
itni jalan kafi hai ya aur chahiye par Ronit ne kuch nahi kaha bas mujhe ghur ghur kar
dekhte hue apne bum ko sehlata raha toh hua ye ki jaise hi Ronit ne mujhe jali teri kaha
waise hi uski bum par maine ek invisible aag jala diya jise uska pichwada sach me jalne
laga tha aur issi wajah se uski aaah nikal gayi thi

Main:- tu apne pichwade ko sehlaate sehlaate break fast thoos main chala apne room
main ghooma aur apne room ki taraf chal pada

Ronit:- saale ek baar tu thek ho jaa fir batata hun tujhe

Mom:- arre tu abhi tak khada hai mom ke haath me khaane ka tray tha jise Ronit ne le liya

Ronit:- haan wo bas aise hi aunty

Mom:- ye Vicky kaha gaya?

Ronit:- room me

Mom:- toh tu bhi jaa main nashta wahi bhijwaa deti hun

Ronit:- rehne dijiye aunty main yahi khaa lunga waha jaakar khaane baitha toh mere
breakfast khatam karne se pehle wo mera dimag khatam kar dega mom ne kuch nahi kaha
bas hasti hui kitchen ki taraf chali gayi Ronit baithkar breakfast karne laga

hey Ronit subpra bhat Ronit ji Ronit ka breakfast khatam hua hi tha ki itne me hall me
Avantika aur Analia pahunche

Ronit:- Ronit ji kya baat hai yaar sikh isse kuch Avni aise baat kiya jata hai

Avantika:- main bhi aise hi baat karti hun bas saamne wala itni respect ke layak hona
chahiye ek baar ye tere bare me jaan lefir dekhna kaise baat karegi
Ronit:- dheere se ek wo saala kadwa jaisa karela aur upar se ye bhi neem jaisi kadwi kya
God kaisi waahiyad jodi banayi hai aapne I expected more from u

Avantika:- oye expected wale gadhe main bhale hi Vj ki tarah mann ki baatein nahi padh
paati par dheemi se dheemi awaaz bhi mere kaano ko saaf sunayi deti hai

Ronit:- arre main bhi toh tere kaano ki frequency hi check kar raha tha chalo ye jaan kar
acha laga ki sab theek hai

Avantika:- ek hi toh frequency hai jo thek naahi hai

Ronit:- kaun si?

Avantika:- tere dimag ki Avantika ki baat par Analia bhi hans di

Ronit:- yaar Analia tu toh kamse kam meri side reh abhi Analia ya Avantika kuch kehte
usse pehle hi

Mom:- arre beta Avantika tum kab aayi? aur itne dino baad yaad aayi hamari? Avantika
mom ke pair chune ke liye jhat se aage badhi par mom ne usse jhukne se pehle hi thaam
apne gale se laga liya jab dono alag hui toh

Mom:- pata nahi kyu par jab bhi tujhe gale lagati hun toh aisa lagta hai jaise Vicky ko gale
laga rahi hun jahan mom ki baat sukar Avantika ke chehre par smile aa gayi wahi

Ronit:- dheere se lagega kyu nahi agar wo sar hai toh ye uss sar me uthne wala dard jo hai
aur kisine toh nahi par Avantika ko Ronit ki baat sunayi de gayi usne ghur kar Ronit ko
dekha

Analia:- ye kaun hai?

Mom:- ye kaun hai beta? jahan Analia ne ye sawal bohat dheere se Ronit se pucha tha
wahi mom ne Avantika se

Ronit:- ye Vikram ki mom mera matlab maa hai

Avantika:- aunty ye meri ek friend ki sister hai kuch dino ke liye yaha mere paas aayi hai
Ronit ke mouh se ye sunkar ki saamne khadi lady meri maa hai Analia turant aage badhi
aur mom ke pair chu liye

Mom:- arre arre betiyan pair nahi chuti gale lagti hain mom ne Analia ko bhi uthakar gale
laga liya
Analia:- hum bata nahi sakte ki hum aapse milne ke liye kitne laalayit the Vikram jaise putr
ko janm deni maa ko hum naman karte hain jahan ye bolkar Analia ne meri mom ke aage
jhukte hue apne haath jod liye wahi Ronit ne apna maatha peet liya aur mom apne aakhon
me sawal liye Avantika ki taraf dekhne lagi

Avantika:- aunty wo actually kya hai naa ki ye bachpan se hi ayurvedh ki padhyai kar rahi
hai wo bhi bohat choti umar se ye aise hi shuddh hindi me baath karti hai

Mom:- ohh acha par ye Vicky ke bare me kya bol rahi thi?

Avantika:- isse pata hai ki Vj national topper hai issliye ye uski fan hai

Mom:- acha aisi baat hai mujhe bhi tumse milkar bohat khushi hui beta aap sab baitho
main aap sab ke liye breakfast bhijwaati hun

Avantika:- arre nahi nahi aunty we are fine ghar se breakfast kar ke hi aaye hain waise Vj
kaha hai?

Mom:- apne room me jao main coffee bhijwati hun wo toh piyoge naa?

Avantika:- theres no fixed time for coffee definately aunty chalen

Ronit:- chalo Avantika Analia aur Ronit strairs chadhte hue Vj ke room ki taraf chal diye In
my room

Ronit:- iski aisi ki taisi saala ye hamesha dhayan me hi baitha rehta hai kya? jaise hi teeno
mere room me pahunche toh mujhe mere bed par dhayan me baithe hue paya jahan
Ronit aur Avantika normal the wahi mujhe dekhkar Analia ki khushi ka thekana naa raha
wo aage badh kar mere bed ke paas pade chair me baithkar mere chehre ko dekhne lagi

Analia:- kitna tej jhalakta hai inke chehre par

Ronit:- haan wo daily cement pothatha hai na mouh pe issliye par Analia ko toh jaise Ronit
ki baat sunayi hi nahi di wo ek tak mujhe nihare jaa rahi thi

Ronit:- lai ek aur meera paida ho gayi waise ek baat bata maana ki tujhe Vj ko dekhne ka
usse baatein karne ka bohat mann kar raha hoga par tujhe nahi lagta ki hume pehle
bhavishya wani ki paheli ke bare me sochna chaahiye I mean bina Vj ko theek kiye usse
milna naa milne jaisa hi hai wo toh ulti sidhi baatein hi karega ye sab baatein Avantika ko
Ronit ne dheere se kahi thi
Avantika:- hum yaha Vj se sirf milne nahi aaye hain balki usse paheli ka jawaab lene aaye
hain

Ronit:- whattt par kaise? I mean Vj hamari madad kaise karega ya fir ye kahu ki kyu
karega? usse toh kuch bhi pucho wo ulta hi jawab dega

Avantika:- mujhe pata hai par ye bhi ek sach hai ki aisi tough paheli agar koi suljha sakta
hai toh wo sirf Vj hai

Ronit:- haan ye toh hai par hum ye kaise karenge?

Avantika:- I dont know but we will figure out something par pehle Vj apne dhayan se toh
bahar aaye

Ronit:- aur usse pehle ye bairagi toh apni madhoshi se bahar aaye Ronit ne ye baat Analia
ke liye kahi thi jo ki iss waqt ek tak mere chehre ko dekhe jaa rahi thi Analia ka dhayan
todne ke liye Avantika kuch kehne hi wali thi ki

tum sab mere room me kya kar rahe ho? ye awaaz meri thi apni baat kehte waqt meri
aakhen band thi par baat khatam karte hi maine aakhen khol di waise toh in teeno ke
room me aate hi mujhe ehsaas ho gaya tha ki koi mere aas paas hai par mera iss waqt
dhayan me baithe rehna zaroori tha iss waqt mere saamne Analia baithi hui thi jo mujhe
ek tak dekhe jaa rahi thi par mere aankh kholte hi wo bhi hadbada kar khadi ho gayi

Main:- maine pucha ki tum sab mere room me kya kar rahe ho? maine bine Analia ki taraf
dhayan diye Avantika aur Ronit ke taraf palatethe hue apna sawal dohraaya jahan mujhe
khudko undekha karte dekh Analia shocked hui wahi Avantika aur Ronit ne bhi iss baat ko
note kiya par wo normal hi rahe

Ronit:- kyu beta tujhse puchkar kamre me aana padega kya?

Main:- haan chalo niklo ab

Avantika:- kahaniklo? hum kahi nahi jaa rahe aur Mr ye room jitna tumhara hai utna hi
mera bhi hai infact tumse zyada hak mera hai iss room par issliye shut up

Analia:- lord aapne hume pehchaana nahi hum Analia hain

Main:- bol toh aise rahi hai jaise Queen Elizabeth ki nephew hai

Analia:- akela hai ki kya hai? Analia ka Elizabeth ko akela hai bolna sun Ronit aur Avantika
ko hasi aa gayi
Main:- na akela hai na dukela hai tera dimag ek number ka thakela hai jo kuch bhi kuch
bakela hai tere chakkar me mere mouh se kya kya niklela hai ye saala main kya kya bak
raha hun jahan meri baat Analia ke sar ke upar se nikal rahi thi wahi meri baat sunkar
Ronit aur Avantika ki hasi aur badh gayi thi

Main:- hahaha chaahe jitna daant dikha lo shakal nahi badlegi tum dono ki

Avantika:- kya main itni buri dikhti hun yaha meri baat khatam hui waha Avantika jhat se
mere kareeb aa gayi meri aakhon me dekhte hue usne apni baat kahi thi saala iski saanson
ki mehek dil keh raha tha ki turant isse apne aagosh me le le par dimag chutiya najane kyu
mujhe rok raha tha?

Avantika:- bolo naa kya main itni buri dikhti hun

Main:- nahi kuch der tak Avantika ko dekhte rahne ke baad mere mouh se jab nahi nikla
toh Avantika ke chehre par ek pyari si smile aa gayi par agle hi pal

Main:- kuch zyada hi buri dikhti ho

Avantika:- you ruko batati hun tumhe ye bol Avantika mujhe par jhapti usse bachne ke
liye main turant apne left side hote hue piche ki taraf hua par tabhi oh shit ye awaaz jo
thodi loud thi ye Avantika ke mouh se nikli thi reason jaise hi main piche hua toh meri
body Analia ke body se halki touch ho gayi aur aisa hote hi meri urja jo ki Avantika ke
andar thi usse ek jhatka laga ye jhatka koi aam jhatka nahi thais jhatke se Avantika ke
dimag me ek ke baad ek kayi saare thoughts aane jane lage jis wajah se Avantika ke mouh
se wo shabd nikle par jhatke sirf Avantika ko hi lage the balki mere sparsh se ek jhatka
Analia ko bhi laga tha infact Analia ko jhatka Avantika se pehle laga tha ya fir ye kahu ki
Analia ke jhatke ki wajah se hi Avantika ko bhi jhatka laga tha Avantika ko shocked hota
dekh jahan main toh normal hi raha ya fir ye kahu ki mujhe koi fark nahi pada wahi Ronit
ka dimag ghum gaya usse pata tha ki Avantika ke mouh se oh shit nikalne ka matlab hai
ko koi bada khulasa hone wala hai par isse pehle ki Ronit iske bare Avantika se kuch bhi
puchta

Avantika:- toh tum rakho apna room apne paas hum jaa rahe hain chalo tum dono jahan
Ronit samjh gaya tha ki jo baat Avantika ko pata lagi hai ussi ko batane ke liye usne aisa
kaha hai wahi Analia ko kyu ki koi idea hi nahi tha issliye

Analia:- itni jaldi abhi oh hume lord se thek se baat hi nahi ki hai
Main:- theek se baat nahi ki hai matlab? kya baat karni hai tumhe? Analia kuch kehne hi
wali thi ki

Avantika:- Analia baad me abhi chalo ye bolkar Avantika Ronit ko lekar room se bahar
chali gayi Avantika ne ye baat thode strict tarike se kahi thi issliye Analia ne dobara kuch
nahi kaha aur Avantika aur Ronit ke piche piche mere room se bahar nikal gayi

Ronit:- yaar ab kya hua? kal tune teen baar oh shit kaha tha pehli baar jab tune ye kaha
tab tujhe yaad aaya ki Vj Secrilla kyu jata hai dusri baar me in madam ki entry hui aur
teesri baar me inke dil ka haal pata chala aur aaj fir se tune ye bola hai aur wo bhi ek saath
teen teen baar pakka kuch bada bomb hai right?

Avantika:- bada nahi bohat bada par yaha nahi bata sakti second floor me bhi khaali rooms
hain naa wahi chalte hain wahi batati hun fir bina Ronit ya Analia ki baat sune Avantika
jhat se stairs ki taraf badh gayi Ronit aur Analia bhi aankhon me sawal aur dil me jigyasa
liye uske piche piche ho liye

In Room

Ronit:- chal ab bata fata fat shuru ho jaa par Ronit ki baat khatam hone par bhi Avantika
ne kuch nahi kaha wo kuch soch rahi thi

Ronit:- lai yaha hamari excitement badhakar madam apne hi khayalon me khoyi hui hai
ab bolegi kuch Ronit ke dobara puchne par bhi Avantika apni soch se bahar nahi aayi
Avantika ko abhi bhi jawab na deta dekh Ronit ne uske kandhe ko hilakar uski soch se
bahar lane ki sochi par jaise hi Ronit ne apna haath Avantika ke kandhe ki taraf badhaya

Avantika:- oh shit how did I Miss that ye main kaise bhul gayi? Avantika ko jaise achanak
kuch yaad aaya usne chillate hue apni baat kahi wahi Ronit Avantika ki achanak uthi aawaz
ko sunkar ekdum chonk gaya aur usne turant apna haath piche kheench liya

Ronit:- ab kya naya bomb gira hai jo tune fir oh shit kaha

Avantika:- koi bomb nahi gira hai actually jo baat pata chali hai ussike bare me soch rahi
thi aur achanak kuch yaad aa gaya

Ronit:- mujhe toh kuch samjh me hi nahi aa raha hai ki tu kya bol rahi hai? ufff Avantika
ne ek lambi saans chhodi aur kehna shuru kiya

Avantika:- kaha se shuru karun? shuruat se hi karti hun Analia tum yaha aayi nahi ho balki
laayi gayi ho Avantika ki baat sunkar Analia aur Ronit dono ko jhatka laga
Dono ek saath:- matlab

Avantika:- matlab ye ki tumhe yaha Vj lekar aaya hai

Ronit:- yaar ye toh hume bhi pata hai ki ye Vj ki wajah se hi yaha aayi hai usse milne ke
liye

Avantika:- tu samjha nahi Analia apni marzi se yaha nahi aayi hai balki Vj ke plan ki wajah
se yaha aayi hai

Ronit:- Vj ka plan? yaar tu kya bol rahi hai mujhe toh kuch samjh me hi nahi aa raha

Analia:- hume bhi

Avantika:- Vj ke courin phal ko khaate hi ye aur iske grah waasi shraap mukt ho chuke the
Vj ko uss pedh me apni urja chhodne ki zaroorat thi hi nahi par phal ke khaate hi Vj ko
jaise hi Asmodeus ke shadyantra ka pata chalatoh agle pal se hi Vj khud ko theek karne ka
raasta dhundne laga aur usse raasta mil bhi gaya Vj ne couris pedh ke andar apni urja daal
di jiske andar do kan moujud the aur uske baad Vj ne ek khaas spell bola par sirf Analia ke
upar Avantika ki baat sunkar Ronit aur Analia shocked ho gaye dono hi kuch kehna chahte
par

Avantika:- sab batati hun par silsilevaar bas sunte jaao main kaha thi haan toh jaise hi in
sab ne uss pedh ke phal ko khaaya toh un sab ke andar Vj ki urja aur uske saath saath uske
do kan bhi chale gaye un do kano me se ek ke andar Vj tak pahunchne ka raasta tha jise
hote hue Analia yaha aayi hai aur dusre kan ke andar ek kahani thi

Ronit:- kaani kaisi kahani? Ronit ke sawal par Avantika ke chehre par ek muskaan naach
gayi

Avantika:- Asmodeus aur Vikram ki kahani

Ronit:- Asmodeus aur Vj ki kahani? par wo toh Vj hume pehle hi bata chuka hai fir ussi
baat ko Analia ke andar daalne ka kya matlab? aur tune abhi bola tha ki Vikram ko khudko
theek karne ka idea mil gaya tha ye kaise possible hai? Vj ko theek karne ka tarika toh
hume bhavishwani ne bataya hai jo ki humne kal hi suni hai hang on agar Vj ko khudko
theek karne ka tarika maalum chal gaya tha aur ab pata nahi kaise par tujhe bhi jab ye
saari baat pata chal gayi haitoh kya tujhe bhi ye pata chal gaya hai ki Vj theek kaise ho
gaya? Ronit ki baat sunkar Avantika ke chehre par ek baar aur smile naach gayi
Avantika:- mujhe bhi nahi mujhe hi pata hai ki Vj kaise thek hoga Avantika ki baat sunkar
Ronit aur Analia dono khush ho gaye

Ronit:- iska matlab tujhe

Avantika:- haan mujhe bhavishwaani me puchi gayi paheli ka jawab maalum ho gaya hai

Ronit:- really toh what are u waiting for? batao kya hai answer?

Avantika:- baaki ki baat nahi janani kya?

Ronit:- of course janani hai yaar par jis chiz se sab kuch theek ho jayegakyu ki mera bhai
theek ho jayega uske bare me mujhe pehle janana hai

Avantika:- par usse faayda nahi hoga paheli ka jawab jaanne ke baad bhi tujhe puri baat
jaanni hogi tabhi tu paheli ke jawab ka matlab samjh payega

Ronit:- arre ye kya baat hui? main itna bhi bewakuf nahi hun tu paheli ka jawab demain
sab samjh jaaunga

Avantika:- pehle ka jawab hai Jairaj uncle

Ronit:- what par kaise? aur uss paheli me toh kahi bhi uncle ka zikr nahi hua tha fir ye
jawab kaise?

Avantika:- paheli me naa sahi par kahani me toh hai naa

Ronit:- yaar please one go me sab bata na mujhe kuch bhi samjh nahi aa raha hai

Avantika:- issliye maine bola tha ki bina puri baat sune tujhe kuch bhi samjh nahi aayega
par tu hi nahi maana

Ronit:- acha sorry chal tune jahan tak bola thauske baad se bata

Avantika:- kya bola tha maine haan toh dusre kan me Vj ne apni aur Asmodeus ki kahani
daal di aur iska kaaran ye tha ki Vj ko pata chal gaya tha ki Asmodeus ne uske dimag ko
apne khoon se nishana banaya hai Vj ko theek hone ka tareeka toh nahi mila par sochte
sochte usse ek raasta mil gaya Vj ko yaad aaya ki Isla ke fountain ke andar mujhe bhi ek
bhavishwaani mili thi tab Vj ko iska reason pata nahi chala thapar Asmodeus ke
shadyantra se usse andaza ho gaya ki ho na homujhe bhavishwaani usse theek karne ke
liye hi mili hogi Vj ko ye bhi pata tha ki bhavishwaani jab bhi khudko mere saamne open
karegitoh ek paheli ke roop me hi karegi jise samjhna mere ya kisike liye bhi asaan nahi
hoga aur issliye hi Vj ne apni aur Asmodeus ki kahani ko uss phal ke andar chhupaya taaki
uss kahani se main paheli ko samjh paaun

Ronit:- but thats the main question? jo jawab tune diya haiuska paheli se koi lena dena hi
nahi hai

Avantika:- bilkul hai Avantika ne full confidence se apni baat kahi

Ronit:- par kaise?

Avantika:- yaad hai abhi thodi der pehle jab maine oh shit kaha thajanta hai wo kyu kaha
tha? main Vj ke through uske kan me chhodi gayi story se bhavishyawaani ki paheli ke
jawab ko dhundane ki koshish kar rahi thi aur tabhi mujhe kuch yaad aaya Secrilla tour ke
waqt maine yunhi Vj se ek baar pucha tha ki wo kisi bhi puzzle ko itni asaani se kaise solve
kar deta hai? tab usne mujhe bataya tha ki kisi bhi puzzle ko solve karne ke liye do chizon
ke bare me pata hona chahiye pehli ki puzzle ke shabdon par nahi balki uss reason par uss
kaaran par dhayan do jis wajah se uss puzzle ko solve karne zaroorat padi hai dusri uss
kahani par dhayan do jiski wajah se uss reason ka uss kaaran ka janm hua hai Vj ki ye
advice main completely bhool gayi thi par thank God ya fir thanks to Vj kahu ki Analia ke
andar uske chhode gaye kan me moujud kahani ki wajah se mujhe uski di gayi advice yaad
aa gayi jaisa ki Vj ne puzzle solve karne ka pehla step bataya tha maine pehle ussi ke bare
me socha reason bhavishyawani me jo baatein batayi gayi uske bataye jane ka reason aur
reason hai Asmodeus ka wo khoon jo iss waqt Vj ke dimag me hai maine socha ki aisa kya
hai Asmodeus ke khoon me jisne Vj ki personality ko hi badal diya par luckily iss soch ke
mere dimag ke ubharne ke agle hi pal mujhe iska jawab bhi mil gaya

Analia:- iska jawab toh hume bhi pata hai lord ke khoon me nekdili hai aur unke bhai ke
khoon me kapat aur paap hai

Avantika:- nahi Analia dono apni apni jagah sahi hain bas dono ke iss bramhaand ko
dekhne ka tarika alag hai jahan Vj bramhaand me base logon ko unki galtiyon se upar
uthkar dekhta hai wahi Asmodeus ke liye toh insaan ki uttpati hi galat hai aur issliye wo
insaano ko alag alag tarike se chot pahunchata hai

Analia:- toh fir kya hai Asmodeus ke khoon me aisa jisne lord ki ye haalat kar di

Avantika:- wahi cheez jispar ye puri kahani likhi gayi hai attitude drishtikon dono bhayiyon
ka attitude jo ek dusre se bilkul alag hai Asmodeus ne apne khoon ke zariye apne attitude
ko jisme manushya jati ke liye nafrat haiusse Vj ke mind me pahuncha diya aur issi wajah
se Vj ka attitude uski soch kamzor padh gayi aur aisa hote hi Vj se uski pehchaan alag ho
gayi

Ronit:- oh teriki saala ye baat mere dimag me kaise nahi aayi jab se Vj ke saath ye kaand
hua hai tabse uska behaviour uska tarika hi toh badla hai

Avantika:- haan par puri tarike se nahi Vj ka attitude kamzor zaroor hua hai par puri tarah
badla nahi aur issliye hi abhi tak ye universe theek hai khair jaise hi mujhe reason clear
hua maine puzzle solve karne ke liye dusri chiz par dhayan lagaya kahani wahi kahani jo
Vj ne Analia ke through mujhtak pahunchayi hai wo kahani jo already mujhe pata hai fir
aisa kya hai jo Vj dobara mujhe samjhana chahta hai Vj aur Asmodeus ke beech ka fark jo
unhe ek dusre se alag karta hai (attitude) wo toh main reason samjhne ke waqt jaan chuki
thi par dono ki kahani ke bare me sochte sochte achanak mere mann main wo kadi ubhri
jo in dono bhayiyon ko jodti hai aur wo kadi hai

Ronit:- God yahi toh wo kadi hai jo in dono ko ek dusre se jodti hai naa chahte hue bhi
dono ek hi pitah ke santan hain

Avantika:- exactly par iss sach ke saath saath ki dono God ke bete hain ek aur sach bhi hai
jise anjane me hi sahi par dono jude hue hain ya fir ye kahu ki ek ki wajah se dusra apne
aap uss sach ke saath juda hua hai

Analia/Ronit:- kaun sa sach?

Avantika:- yahi ki Vikram God ke saath saath Jairaj uncle ka bhi beta hai aur issliye anjane
me hi sahi par Vikram ke bhai hone ki wajah se Asmodeus bhi Jairaj uncle ka beta hai

Ronit:- arre haan iss taraf toh mera dhayan hi nahi gaya tha soutela hi sahi ya fir ye kahu
ki indirectly hi sahi par Asmodeus bhi toh Jairaj uncle ka hi beta hua

Avantika:- exactly Jairaj uncle jo ki ek insan hain insan jise Asmodeus nafrat karta hai wahi
nafrat jo iss waqt khoon bankar Vikram ke dimag ko lapete hue hai aur nafrat ko sirf ek hi
chiz kaat sakti hai aur wo hai

Analia/Ronit:- prem/pyar dono ke mouh se do shabd jinke maayne ek hi hain ek saath


nikle

Avantika:- absolutely right ab ek baat batao iss duniya me Vj se sabse zyada pyar kaun
karta hai?

Analia:- ek bete se sabse zyada toh uski maa hi karegi naa


Ronit:- nahi Analia ye sach nahi hai kam se kam Vj ke maamle me toh bilkul hi nahi Vj ki
har kaamiyabi par maine Minu aunty se zyada khush Jairaj uncle ko dekha hai bas fark itna
rehta hai ki aunty apni khushi sabko batati hai wahi uncle chup rehkar uss khushi ko apne
andar mehsoos karte hain waise toh maa baap ke pyar ko tola nahi jaa sakta par mujhe
aisa lagta hai ki Jairaj uncle se zyada pyar Vj se koi nahi kar sakta

Avantika:- sahi jawab Analia tumne jo kaha wo toh sabhi kehte hai maana jata hai ki ek
maa se zyada pyar apne bacche se koi nahi kar sakta par ye baat puri tarah sach nahi hai
ek maa apne pyar ko har waqt dikhati hai jis wajah se aisa lagta hai ki usse zyada pyar
uske bacche se koi nahi kar sakta par asal me pyar aur tyag ka sabse bada roop ek pitah
ka hota hai jo bina apni bhaavnaaye dikhaye apne saare farz pure karta hai ek beta apne
saare demand apni maa se karta hai par uss demand ko pura uska pita karta hai wo bhi
khamoshi se bina koi credit liye Jairaj uncle ka Vj se kiya gaya unconditional pyar aur Vj ka
apne pitah Jairaj uncle se kiya gaya waisa hi pyar Jairaj uncle ko wo zariya banata hai jise
Asmodeus ki nafrat se bhare khoon ko Vj ke andar se mitaya jaa sakta hai

Ronit:- chalo maana ki Jairaj uncle aur unka Vj se pyar hi iss paheli ka answer hai par sawal
ab bhi wahi hai kaise? I mean pyar toh ek feeling hai aur Jairaj uncle ki Vj ke liye feeling
toh hamesha se thi hai aur rahegi fir Vj thek kyu nahi ho raha?

Avantika:- paheli yaad hai

Ronit:- haan

Avantika:- ek baar bol

Ronit:- mere sparsh se rakht ki jakad dheeli hogi par sampoorn upchaar uss paani se hoga
jisme mohobbat me nikli namkeen paani mili hogi suna yahi toh main keh raha hun paheli
ke aakhir me saaf bataya gaya hai ki ilaaj uss paani se hoga jisme mohobbat me nikli
namkin paani mili hogi uncle ko apne bete se mohobbat toh haipar wo mohobbat ek
feeling hai jabki ilaaj paani se hoga

Avantika:- correction mohobbat ke paani se

Ronit:- haan wahi mohobbat ke paani se

Avantika:- waise toh nafrat bhi ek tarah ki feeling hi hai fir uska asar Vj par kaise hua?

Ronit:- arre wo toh Asmodeus ne apne khoon ke zariye apni nafrat oh shit oh shit apni
baat kehte kehte achanak Ronit ke dimag ki batti jali aur usne bhi waise hi react kiya jaisa
paheli ka jawab milne par Avantika ne kiya tha
Avantika:- dimag ki batti jali

Ronit:- puri jal gayi yaar main kitna bada duffer hun saala itni obvious baat samjhne me
mujhe itna waqt kaise lag gaya? paheli ka jawab Jairaj uncle ka khoon hai jisme unki Vj ke
liye mohobbat chupi hui hai wahi mohobbat jo Asmodeus ke khoon me basi nafrat ko
khatam kar sakti hai khoon me bhi toh paani hota hai aur khoon ka taste

Avantika:- salty yaani namkeen hota hai

Ronit:- un believable

Avantika:- Vj ke andar Jairaj uncle ka khoon doudta hai aur uss khoon ke saath milkar
doudte hain uncle ke diye gaye sanskaar wahi sanskaar jise Vj ka attitude bana hai aur ussi
attitude se hi Vj ka astitv hai Asmodeus ke khoon ne Vj ke dimag par kabza kar Jairaj uncle
ke khoon ko waha se sokh liya aur issike saath unke values ko bhi bahar nikal diya par
bahar nikalte nikalte bhi Jairaj uncle ke khoon ne Asmodeus ke khoon aur usme chupi
nafrat ke asar ko thoda kamzor kar diya aur aadha kaam mercia river ne kar diya aur ab
Jairaj uncle ka khoon hi Vj ke dimag se Asmodeus ke khoon ko aur uske asar ko puri tarike
se khatam kar dega apni baat puri kar jaise hi Avantika ki nazar Ronit par gayi toh usse
kuch sochte hue paya

Avantika:- kya hua kya sochne lag gaya? mujhe laga paheli ka matlab samjh tu khushi se
naach uthega par tu toh kisi gehri soch me gum ho gaya?

Ronit:- haan soch toh main raha hun Avni aur wo ye ki kya Jairaj uncle ka khoon nikalna
sahi rahega? haan ye sach hai ki yahi Vj ka ilaj hai par Jairaj uncle ko taklif dena mujhse
nahi ho payega aur Vj ke theek hone ke baad jab usse pata chalega ki wo kaise thek hua
hai toh wo toh humse baat karna hi chhod dega

Avantika:- oye tu kya kya sochne laga? hume Jairaj uncle ka khoon zaroor chahiye par bas
ek do boond utna hi jitna maleria ke blood test ke waqt liya jata hai

Ronit:- what utne me ho jayega?

Avantika:- yaar commerce student hokar bhi itna nahi janta ki quantity nahi quality matter
karti hai Jairaj uncle ke khoon ke bas ek touch se Asmodeus ke khoon ka asar khatam ho
jayega

Ronit:- fir toh koi problem nahi hai?


Analia:- Avantika ji aapke haath ko dekhiye? Avantika kuch kehne hi wali thi ki itne me
Analia ne uske haath ki taraf point karte hue apni baat kahi iss waqt Avantika ke right
hand ke beech ka hissa tez chamak raha tha jise dekhkar Analia shocked hui thi aur ab
Ronit bhi chonk gaya tha wahi uss chamak ko dekhkar Avantika ke chehre par ek muskaan
naach gayi

Ronit:- abbe ye kya ho raha hai?

Avantika:- confirmation

Ronit:- kaisa confirmation?

Avantika:- bhool gaya kya? bhavishyawaani paheli bankar jis paani ke chamakte charre ke
roop me hume mila tha wo iss waqt mere haath me hai aur iska chamakna iss baat ka
confirmation hai ki humne iss paheli ko solve kar diya hai

Ronit:- than what are we waiting for? aaj sunday hai matlab uncle ghar me hi hain main
ek kaam karta hun unke paas jaakar baat karte karte kisi tarah koi pin unke body ke kisi
bhi part me halka push kar dunga isse unka blood bhi nikal jayega aur uncle ko zyada fark
bhi nahi padega unhe lagega ki unhe kisi mosquito ne kaata hai main hoshiyari se unke
khoon ko ek vessel me daalkar le aaunga bas aunty unke saath na ho

Avantika:- aunty unke paas nahi hai aur tujhe uncle ko baaton me bhi uljhane ki zaroorat
nahi padegi kyu ki iss waqt uncle apne bedroom me so rahe hain Avantika ki baat sunkar
Ronit chonka

Ronit:- so rahe hainis waqt kyu? aur tujhe kaise pata?

Avantika:- kyu ki maine hi unhe sualaya hai?

Ronit:- what?

Avantika:- hmm actually jaise hi mujhe paheli ka answer mila toh maine Vj ki urja ka ek
chota sa bhaag uncle ke paas bhej diya uss bhaag ne uncle ko charon taraf se gher liya jise
uncle ke sharir ke saath saath dimag par bhi presurre padne laga aur wo thakne lage unhe
laga ki work load ki wajah se unhe thakan feel ho rahi hai issliye wo aunty ko bolkar room
me rest karne ke liye chale gaye aur filhal gehri neend me hain

Ronit:- tune uncle ko sulane ke liye Vj ki urja ka use kiya kahi uncle ko kuch ho jata toh

Avantika:- nahi hota uss urja ne unhe chhua nahi tha bas unhe charon taraf se ghera tha
Ronit:- yaar Avni tu din ba din khatarnaak hoti jaa rahi hai Ronit ki baat sunkar Avantika
bas muskura di

Analia:- toh ab?

Avantika:- toh ab ye ki Ronit tu jaakar uncle ka blood le aa tab tak main Vj ko bhi sula deti
hun

Ronit:- Vj ko sulayegi par kaise?

Avantika:- jaise uncle ko sulaya hai bas fark itna hoga ki Vj ko uski urja gheregi nahi balki
chuwegi

Ronit:- par isse Vj ko khatra ho sakta hai?

Avantika:- koi khatra nahi hoga mat bhool ki Vj se bas uski urja cheeni hai uski taakat ab
bhi ussike paas hai Vj ki urja jaise hi Vj ko touch kare gi toh uski shaktiyan usse ladhne ke
liye aage aayengi par dono hi ek dusre ko nuksaan nahi pahuncha sakti kyu ki dono hi Vj
ki amanat hain par iss takraw se Vj ke senses thak jayenge aur Vj behoshi jaisi neend me
chala jayega aur ye zaroori bhi hai ki Vj ke theek hote waqt Vj neend me rahe ya fir behosh
ho jaye kyu ki agar wo jaagta raha toh uske dimag me moujud Asmodeus ka khoon Vj ko
theek hone nahi dega wo Vj par pressure daalega ki Vj humse door chala jaye

Ronit:- sab tere haath me hai Avni tune mujhse jo karne ko kaha hai main wo kar deta hun
baaki sab tere upar hai

Avantika:- baat jab Vj ki ho toh main koi chuk nahi kar sakti Ronit agar mera pyar sacha
hai agar main sach me Vj ki shakti hun toh aaj main usse thek karke hi rahungi Avantika
ne apni baat full confidence ke saath kahi aur fir

Avantika:- chal Analia hum Vj ke paas jaate hain all the best Ronit main wait kar rahi hun
jaldi aa apni baat keh Avantika Analia ko lekar room se bahar nikal gayi wahi unke jaate hi

Ronit:- chal beta Ronit lag jaa kaam par Ronit bhi neeche jane ke liye room se bahar
nikalne hi wala tha ki

Ronit:- mujhe niche nahi jana chahiye agar saamne hall me aunty huyi ya nana nani ya fir
bache toh mujhe uncle ke bedroom me jane nahi denge issliye jo bhi karna hai yahi se
karta hun suchna pralitah drishti bhava information rays view Ronit ne apne haath faila
kar iss mantra ko uccharit kiya spell ke uccharit hote hi Ronit ke dono haathon se do
adrishya rays nikli aur darwaaze se hote hue bahar nikal pure ghar me failne lagi wo rays
sidhiyon se hote hue niche ground floor par gayi aur hall se guzar kar har room aur kitchen
me ghus gayin jab un rays ne pure ghar ko cover kar liya wo tezi se wapas upar Ronit wale
room ki taraf nikal padi ye sab kuch hi palon me ho gaya tha room me pahunch wo rays
hawa me uth gayi aur agle hi pal Ronit ke saamne hawa me hi do chalchitra dikhne lage
un dono chalchitra me pure ghar me kaun kaha hain wo sab dikhne laga Ronit ko ye
dekhkar chain aaya ki Minu aunty hall me baith kar phone par kisi se baatein kar rahi hain
aur Jairaj uncle apne bedroom me soye hue hain aur iss waqt unke aas paas koi nahi hai
sab kuch dekh lene ke baad Ronit ne apna haath saamne ki taraf ghumaya Ronit ke aisa
karte hi wo chalchitra band ho gaya

Ronit:- haash uncle ke room me koi nahi hai par isse pehle ki koi waha jaye mujhe jaldi se
apna kaam kar lena chahiye Ronit ne apna haath fir aage kiya aur agle hi pal maaya
dwaram magic door Ronit ke spell bolte hi uske saamne ek magical door open ho gaya
door ke dusre taraf Jairaj uncle ka bedroom tha Ronit turant uss door ke andar chal gaya
room me pahunchne ke baad bhi Ronit ne magical door band nahi kiya dhadakte dil ke
saath Ronit Jairaj uncle ke saamne pahunch gaya

Ronit:- maaf kijiyega uncle par aapke bete aur mere bhai ke liye hume ye sab karna padh
raha hai Ronit ne Jairaj uncle ke saamne apne haath jod ye baat kahi Ronit ne apne jode
hue haathon ko neeche nahi kiya balki unhe hatheli ke roop me sidha kar diya aur apitalpa
prakatam pin appear dharmavastam baham small vessel Ronit ne do mantra bole aur agle
hi pal uske ek hatheli me ek sharp pin prakat hua aur dusre hatheli ke upar ek chota sa
vessel Ronit aage badha aur uncle ke sirhane me jaakar baith gaya

Ronit:- again sorry uncle but its important apni baat keh Ronit ne ek lambi saans chodi
aur agle hi pal shhh ye awaaz Jairaj uncle ke mouh se nahi balki Ronit ke mouh se nikli thi
reason Ronit ne uncle ke right hand ko utha apne thi gh ke upar rakha fir usne uncle ki
hatheli ko theek se hold kar index fingure ke upar jaise hi halka pin kiyaus jagah se turant
khoon nikalne laga jise dekhkar Ronit ke mouh se shhh nikal gayi par apne anxiety ko
control kar agle hi pal Ronit ne turant pin ko side me rakh uncle ki uss ungli ko hold kar
jise khoon nikal raha tha thoda press kiya thek waise hi jaise blood nikaalne ke baad
pathology lab wale karte hain aisa karte hi uss ungle se thoda zyada blood bahar aane
laga Ronit ne jhat se vessel ko jo usne dusre haath me pakda hua tha usse uss blood
nikalne wale ungli se sata diya uss ungli ka blood dheere dheere fisalta hua uss vessel me
girne laga kuch palon me hi chote chote 2- 3 boond khoon ke drops vessel ke andar chale
gaye kaam pura hone ke baad Ronit ne pehle vessel ka knob band kiya aur Jairaj uncle ka
haath wapas neeche rakh diya Ronit kuch der tak Jairaj uncle ki uss ungli ko jise halka
halka khoon abhi bhi nikal raha tha usse apne anghute se daba kar kar baitha raha par
tabhi

Ronit:- oh shit Ronit jhat se utha aur vessel aur pin ko pakad uss magic door se jise wo
yaha aaya tha aur jo abhi bhi khula hua tha uske andar kood gaya door ke dusre taraf jaate
hi Ronit ne turant door band kar diya

Ronit:- thank God bach gaya toh hua ye ki Ronit jab Jairaj uncle ke ungli ko hold karke
baitha hua tha tab usse room ka knob ghumne ki awaaz aayi jise sunne ke agle second hi
Ronit magic door ke andar kood gaya

Ronit:- saala koi kaam aaram se hota hi nahi kuch na kuch locha toh hamesha hoga hi?
khair mission accomplised mera kaam toh ho gaya ab jaakar dekhta hun ki Avni ne apna
kaam kiya ya nahi wo Vj ko sula payi hai ki nahi Ronit ne Jairaj uncle ke khoon wale vessel
ko apne jeans ki pocket me daala aur room se bahar nikal gaya

Wahi mere room me

Analia:- arre ye toh firse dhayan ki mudra me baith gaye Analia ki baat sunkar Avantika
muskurane lage

Avantika:- aaj kal ye janab tabhi ache lagte hain jab inki aankhen band hon aankhen kholi
nahi ki inke dimag ke saath sab kuch badal jata hai waise acha hi hai jo inki aankhen band
hainhamara kaam ab aasani se ho jayega Avantika chalti hue mere paas aayi kuch der tak
mujhe ek tak dekhne ke baad swarasegam shaktiyem release energy Avantika ke spell
bolte hi uske seene ke upar ek tez roshni chamki aur ussi roshni se ek white energy ki
chaadar se nikli wo energy aage badhi aur mere charon taraf ghumne lagi jaise hi uss
white energy ne mujhe ghera mere sharir se halki peeli roshni bahar nikalne lagi ye peeli
roshni meri shakti thi jo mujhe protect karne ke liye bahar aayi thi wahi wo white energy
jo mujhe ghere hue thi wo mujhe khudme lapetne ke liye ya fir ye kahu ki mujhe chune
ke liye mere sharir ke paas aane lagi par white energy ke mere sharir ko touch hone se
pehle hi mere sharir se nikalne wali peeli roshni ne uss white energy ko rokna shuru kar
diya aisa lag raha tha maano dono roshniyan ek dusre ko dhakka dene par lagi hui hain
par kyu ki white energy me angels ki urja thi issliye wo meri shakti ko wapas mere sharir
me dhakelne me kaamiyab hone lagi aur kuch hi palon ke baad white energy ne meri
shaktiyon ki roshni ko puri tarike se mere andar dhakela aur aisa hote hi jaise meri angel
ki urja ka sparsh meri body se hua mere sharir ko ek tez jhatka laga aur agle hi pal mera
sharir jo abhi baitha hua tha wo ek taraf ludakne laga par isse pehle ki main bed par girta
Avantika ke haath ne mere sar ko pakad liya aur dheere dheere mujhe niche kar mere
takiye par leta diya mere sote ya fir ye kahu behosh hote hi meri white urja wapas
Avantika ke andar chali gayi

Avantika:- haashh sabse bada tension toh khatam hua ab bas Ronit uncle ka blood lekar
aa jaye aa jaye nahi aa gaya ye awaaz Avantika aur Analia ke piche se aayi thi jo aur kisi ki
nahi Ronit ki thi jo iss waqt apne haath me wo vessel tha jisme mere dad ke khoon ke
chand bunde thi ya fir ye kahu ki Asmodeus ke jail se meri rihayi ke papers the Ronit ko
aur uske haathon me mere mere dad ke chand bundon vaali vessel ko dekhkar Avantika
ki khushi ka thekana nahi raha wo jhat se aage badhi aur Ronit ke gale lag gayi uski
aankhen abhi bheegi hui thi Ronit bhi uske dil ki haalat se waakif tha usne ek bade bhai ki
tarah Avantika ke sar ko sehlaya

Ronit:- rone ke din khatam hue Avantika ab rone ki baari hamare dushmano ki hai lets get
ur bf and my brother back Ronit ki awaaz me bhaaripan ghussa pyar chahat sab tha bhai
jo hai mera har waqt mujhe jeetate hue dekha hai usne par iss baar jab usse pata chala ki
main ek baazi haara gaya hun toh usse bardasht nahi ho paa raha tha Avantika Ronit se
alag hui usne apne aansu poche aur Ronit ke haathon se uss vessel ko le liya dheere
dheere par confident kadmo se chalte hue Avantika mere saamne aakar khadi ho gayi

Avantika:- wapsi ka waqt ho gaya Lord of Angels mujhe dekhte hue muskurate chehre ke
saath apni baat keh Avantika ne apna right hand aage kiya aur apne dusre haath ko jisme
usne Jairaj uncle ke khoon wale vessel ko pakda hua tha usse apne right hand ke beech
me rakh diya aur

Avantika:- bhavishyavani prakatam Avantika ke aisa bolte aur vessel ko mehsoos karte hi
Avantika ke haath ke beech ka bhaag kuch der pehle ki hi tarah dobara jagmnagane laga
uss jagah ko jagmagata dekh Avantika ne vessel ko waha se hata liya wo roshni kuch aur
tez chamki kuch der yunhi chamakne ke baad wo roshni paani ke charre ke roop me
Avantika ke haath se bahar aa gayi kuch upar hawa me uthne ke baad wo paani ka charra
Avantika ke theek aankhon ke level par aakar ruk gaya Avantika ne apna right haath aage
kiya wo paani ka charra Avantika ke hatheli ke upar aa gaya ye jo bhi ho raha tha usse
Ronit aur Analia dhadakte dil ke saath dekh rahe the Avantika uss charre ko thaame aage
badhi Vj ke kareeb pahunch Avantika halka jhuk gayi Avantika apne right hand ko jisme
wo paani ka charra tha usse Vj ke sar ke just upar le gayi usne apne haath ko neeche ki
taraf tilt kiya aur agle hi pal Avantika ke apne hatheli ko tilt karte hi wo paani ka charra
uske hatheli se fisalta hua neeche ki taraf fisla aur sidhe mere sar ke beecho beech takraya
mere sar ko chute hi wo paani ka charra phat gaya aur uske andar ka paani mere pure sar
me fail sa gaya mere pure sar me failne ke baad wo paani mere dimag ke andar chala gaya
aur jaise hi aisa hua mere sharir ko ek tez jhatka laga jhatke ki wajah se mera pura sharir
kuch feet tak hawa me utha aur dobara neeche bed par gir gaya mere saath aisa hota
dekh Ronit aur Analia dar gaye par Avantika normal hi rahi

Ronit:- Avni ye sab

Avantika:- sab theek hai bhavishyawaani ka paani apna kaam kar raha hai Vj ke dimag ki
nason se Asmodeus ke khoon ki pakad ko dheeli kar raha hai ek gehri saans lekar Avantika
ne pehle dad ke khoon wali shishi ko dekha aur uss shishi ko mere sar ke paas lane lagi
aisa karte waqt Avantika ke haath kaamp rahe the jise Ronit ne dekh liya Ronit aage badha
aur Avantika ka haath thaam liya jise uske haathon ka kaampna band ho gaya Avantika ne
ek baar Ronit ki taraf dekha Ronit ne muskurate hue Avantika ko aage badhne ka ishara
kiya haan me apna sar hila Avantika ke hath aage badhe aur theek mere sar ke upar aakar
ruk gaye ek baar dobara Ronit ki taraf dekhne ke baad Avantika ne vessel ke knob ko khola
aur usse dheere dheere jhukana shuru kiya vessel ke ghumne se dad ka khoon bhi dheere
dheere vessel ke bottom se sarakta hua aage aane laga aur jaise hi Avantika ne vessel ko
pura ulta kiya tap tap dad ke khoon ki teen boonde mere sar ke thek beecho beech takrayi
aur jaise hi aisa hua teen cheeze ek ke baad ek hui

Pehla:- mere alawa mer ghar me moujud sabhi ka samay chakra ruk gaya

Dusra:- meri body ko teen baar zor ke jhatke lage jhatke lagne ke baad achanak meri body
hawa me uthi aur wahi ruk gayi

Teesra:- dad ka khoon jo ki dheere dheere mere dimag ke andar jaa raha tha wo pura
andar chala gaya aur aisa hote hi do cheezen ek saath hui

Pehla:- mere sar ke beech se ek kaala dhua bahar nikla ya fir ye kahu ki dad ke khoon ne
kheench kar uss kaale dhuen ko bahar fek diya

Dusra:- wo dhua mere dimag se bahar aate hi gaayab hone wala tha par usse pehle hi
Avantika ke seene ke beech me se bohat zyada maatra me white energy nikli aur mere
hawa me lete sharir ko uss energy ne charon taraf se gher liya wo kaala dhua ab bhi mere
paas hi tha issliye wo dhua bhi uss white energy ke ghere me fas gaya ab naa wo bhaag
sakta tha aur naahi gayab ho sakta tha wo white energy jo ki asal me meri hi urja thi wo
tezi ne neeche jhuki aur uss kaale dhuen ko khudme lapet liya aur aisa hote hi wo kaala
dhua blast hokar khatam ho gaya aur tabhi mere sharir se dobara peeli roshni nikalne lagi
jo ki meri hi shakti thi par iss baar uss shakti ne meri urja ko dhakela nahi balki wo usse
kheenchne lagi ek pal ke souwe hisse me meri urja aur meri shakti ek dusre me sama
chuke the ek dusre ko firse accept karne ke baad jaise hi wo mere andar gaye meri
aankhen khul gayi yaa fir ye kahu ki Lord of Angels aaj kayi dino baad ek neend se jaage
the meri aankh khulte hi meri body jhat se neeche bed par aa gayi aur agle hi pal main
khada ho gaya mere khade hote hi mere room me ek baar firse tez roshni chamki aur jab
wo roshni kam hui toh mere chehre par ek muskaan naach gayi jaisa ki mere pehli baar
Lord of Angels bante waqt hua tha kuch waisa hi abhi ho raha tha mere room ka size bohat
bada ho chuka tha aur iss waqt mere saamne mere saare angels sar jhukaaye apne ghutno
ke bal baithe hue the un sab se aage mere doston ke theek piche teeno Gods messengers
sar jhukayee baithe hue the un sab se baat karne se pehle main unhe thanks kehna chahta
tha jiski wajah se main theek ho paya hun the love of my life Avantika mera bhai se
badhkar dost Ronit wo ikka jiski wajah se main ye baazi jeet paya Analia maine apna haath
teeno ke aage kiya aur agle hi pal un teeno ka samay chakra wapas shuru ho gaya teeno
ke samay chakra shuru hote hi teeno ko ek jhatka laga jhatke se ubhar ke jab teeno ki
nazar saamne gayi toh unhe samjh hi nahi aaya ki wo kaise react kare unki khushi ka
thekana nahi raha

Ronit ko ab bhi thoda doubt tha ki main thek hua ya nahi issliye

Ronit:- bhai tu

Main:- tera bhai theek ho gaya hai mere bhai bas itna sunane ki der thi Ronit sidha
mujhpar kood gaya maine usse gale se laga liya Ronit ne mujhe kas kar lage lagaya hua
tha uski aankhen maano abhi baras si rahi thi dabi par ek gurrahat jaisi awaaz uske gale
se nikal rahi thi aisa lag raha tha jaise wo apne saare gum jo usne najane kab se daba
rakhe the wo un sab ko ek saath nikal raha tha

Main:- shhh chup ho jaa yaar tu royega toh mujhe bhi rona aayega aur tujhe pata hai ki
mujhe rona acha nahi lagta

Ronit:- ro lene de yaar iss moment ke liye kabse tadpa hun mai ek tera hi toh kandha hai
jispar main toot sakta hun kyu ki mujhe pata hai ki tu mujhe wapas jod dega bohat taklif
ghussa nafrat bhara pada hai mere dil me aaj in aansuon ke saath un sab ko nikal jane de

Main:- iss taklif ghussa nafrat ki wajh Anjali hai naa

Ronit:- tujhse kya chhupa hai bhai bohat yaad aati hai yaar uskikhud toh chali gayi par
mujhe zinda tadapne ke liye chhod gayi uske upar tere saath itna kuch ho gaya aur mujhe
pata tak nahi tha maaf karde yaar bina sach jane maine tujhe kya kya nahi bola tha? mere
sath toh fir bhi saare gharwale the par tu toh akela tha

Main:- kisne kaha door se hi sahi par har dinhar ghante har minute har second koi tha jo
mere saath juda hua tha ye baat maine Avantika ko dekhkar kahi thi jo iss waqt chup
chaap aakhon me khushi ke aansu liye mujhe dekh rahi thi Ronit ko bhi ehsaas ho gaya ki
iss waqt mere baahon me samane ke liye Avantika kitni bechain ho rahi hogi Ronit ko
ehsaas tha ki Avantika ko uski tadap ke bare me bhi andaza tha issliye usne khudse pehle
usse mujhse milkar apna mann halka karne diya Avantika ka ehsaas hote hi Ronit thoda
side hat gaya

Ronit:- oye dekh kya rahi hai toot pad Avantika dheere dheere mere karib aayi maine apna
haath aage badhaya usne mera haath thaam liya maine jhat se usse halka kheencha aur
agle hi pal Avantika mere baahon me thi maine toh Avantika ko apni baahon me sameta
tha par Avantika ne toh mujhe jaise jakad sa liya tha main uski bechaini janta tha uski
tadap mehsoos kar sakta tha mere zakhm ko apna dard bana kar najane kab se chal rahi
thi ye pagli

Main:- mohobbat hum dono ne ki hai par imtihaan sirf tumne diya hai

Avantika:- main aur tum hum me kho chuke hain Vj imtihaan bhale maine diya hai par
usme paas hum dono hue hain

Main:- ishq ne bolna sikha diya hai tumhe

Avantika:- tumhare ishq ne mujhe apna dil kholna sikha diya hai

Main:- waise Ronit aur Analia hume hi dekh rahe hain

Avantika:- dekhne do mujhe kisiki parwaah nahi

Main:- sach me un laakhon angels ki bhi nahi jo un dono ke peeche khade hain

Avantika:- nahi Avantika ne bekhayali me nahi bol toh diya par jab usne meri baat par
gour kiya toh wo jhat se mujhse alag hui aur piche palti piche ka mahoul dekh Avantika ka
mouh khul gaya wahi Avantika ko yun achanak piche moodte aur shocked hote dekh Ronit
aur Analia bhi palte aur piche mudte hi unka bhi wahi haal hua jo iss waqt Avantika ka tha
angels ko wo bhi itne zyada taadad me Avantika aur Ronit ne toh pehle bhi dekha hai par
Analia ke liye ye first time tha wo hadbadate hue piche hath gayi wahi main Avantika
haath pakad chalta hua Ronit ke side me aakar khada ho gaya
Main:- khade ho jaaiye mere bolte hi saare angels khade ho gaye maine apne seene par
haath rakha aur agle hi pal mere seene ke thek beech me se anginat roshniyon ki rays
nikalkar saare angels ke seene ke beech me samane lagi aisa lag raha tha maano meri rays
ne sabhi ko khudse jod liya hai kuch der tak aisa hota raha fir mere seene ke upar se
nikalne wali roshniyon ki rays gaayab ho gayi

Main:- kaisa mehsoos kar rahe hain aap sab?

St Sebastian:- atyadhik urja ka bahav

Main:- hmm waise toh aap sab meri urja ki wajah se har waqt mujhse jude rehte hain par
ab meri urja ka kan aap sabke andar moujud hai ab agar koi chahe bhi toh naa hi meri urja
ko mujhse chhin sakta hai aur naahi aap sab ki meri urja ek darwaza bhi hai jo ab aap ke
andar bhi moujud hai aap kahi bhi rahe par yaad rakhiyega ki aapke andar ek darwaza hai
aur uski dusri taraf main hun jahan meri baat sunkar sabhi angels khush ho gaye wahi
meri jaan aur mere dost ke mann main ek saath ek khayal aaya aur wo ye ki jab dimag ke
band hote hote bhi isne itna kuch kar diya tha toh ab jab ye theek ho gaya hai toh

Vicky iss awaaz ke saath mere dad uth gaye

Mom:- kya hua ji koi bura sapna dekha kya? mom ke sawal par dad ne kuch jawab nahi
diya unke chehre par halki tension abhi bhi dikh rahi thi kai saare expressions unke face
par aa jaa rahe the

Mom:- ye lijiye paani pijiye mom ne jhat se baaju me rakhi jug se thoda paani glass me
daala aur dad ki taraf badhaya ab tak dad ke senses kafi hadh tak normal ho chuke the
unhone mom ke haath se glass liya aur paani peene lage

Mom:- ab bataiye kya hua tha? koi bura sapna dekha tha kya? paani ka glass dad se lete
hue mom ne pucha

Dad:- bura bhi aur ajeeb bhi

Mom:- bura bhi aur ajeeb bhi matlab

Dad:- maine sapne me dekha ki main ek andheri jagah par khada hun mujhe kuch bhi
nazar nahi aa raha tha main samjhne ki koshish kar hi raha tha ki main kaha hun ki itne
me mere kaano me ek awaaz gunji jise sunkar main chonk gaya aur wo issliye kyu ki ye
awaaz aur kisi ki nahi Vicky ki thi har taraf faile andhere ki wajah se mujhe kuch dikh toh
nahi raha tha par fir bhi main awaaz ki disha me bhaage kuch der tak bhaagne ke baad
achanak mere kadam ruk gaye reason mujhse thodi hi door aage achanak ek ujala sa hua
par saamne ka scene dekhkar main chonka bhi aur mera dimag kharab hone laga kyu ki
mere saamne iss waqt Vicky khada tha par wo meri tarah khuli jagah par nahi tha balki ek
bade se pinjre ke andar tha mujh ko dekhte hi mere bete ne mujhe bahar nikalne ke liye
kaha main bhaagte hue uske paas gaya aur usse housla dene laga maine uss pinjre ko
charon taraf se dekha uss pinjre me koi taala nahi tha charon taraf bas salakhen hi
salakhen thi main un salakhon ko todne ke liye idhar udhar dekhne laga taaki unhe kuch
mil jaye par mujhe kuch bhi aisa nahi mila jise main un salakhon ko tod sakun fir kuch
sochkar maine do salakhon ko pakda aur unhe ek dusre se door pull karne laga mere
taakat lagate wo salakhen dhher dheere failne lagi kuch hi der me maine do salakhon ko
ek dusre se itna door kar diya tha ki Vicky unke beech se nikalkar bahar aa sakta tha maine
Vicky se bahar aane ke liye kaha Vicky bhi turant un salakhon ke beech se kisi tarah bahar
aane laga jaise hi uski upper body salakhon se bahar aayi usse pura bahar kheenchne ke
liye maine apna haath Vicky ki taraf badhaya jaise hi maine Vicky ka haath thaama Vicky
gaayab ho gaya aur meri neend khul gayi

Mom:- ye ab bas ek sapna tha aur mujhe pata hai ki ye sapna aapko kyu aaya? dad
sawaliya nazro se mom ki taraf dekhne lage

Mom:- Vicky itne din humse door jo raha tha Vicky ke ghar chhod kar jane ke baad aapne
uss bare me baat tak nahi ki par mujhe pata hai ki aap din raat usske bare me sochte rehte
the aur ab jab hamara beta wapas aa gaya hai tab bhi aapke mann main uske ghar
chhodne wali yaad taaza hai aur issliye hi aapko aise sapne aa rahe hain dad kuch der tak
mom ko dekhte rahe fir

Dad:- Vicky kaha hai? bahar gaya hai kya?

Mom:- nahi wo ghar par hi hai wo Ronit aur Avantika apni kisi friend ki behan ke saath
aayi hai toh unhike saath apne room me hai

Dad:- main ek baar usse dekhkar aata hun dad ki baat sunkar mom bas muskura di wo
janti thi ki sapne ki wajah se dad ka dil ghabra sa gaya hai aur mujhe dekhne ke baad hi
unhe chain aayega issliye

Mom:- chaliye main bhi chalti hun mom aur dad mere room ki taraf chal diye mom ne toh
ye assume kar liya tha ki dad ka dekha sapna bas unka dar tha par asal baat kuch aur thi
darasal Avantika ne jo meri urja ki chadar se dad ko ghera tha ussi urja ke prabhav ki wajah
se dad ke dimag me ye sapna aaya tha jin salakhon ke andar dad ne mujhe kaid dekha tha
wo salakhen asal me Asmodeus ka wo khoon tha jisne mere dimag ko kaid kiya hua tha
aur jis waqt dad ne apna haath mujhe kheenchne ke liye aage badhaya ye wahi waqt tha
jab dad ke khoon ne mere sar ko chua tha jiski wajah se Asmodeus ka khoon kaale dhuen
ki shakl me bahar aa gaya tha jaise hi Asmodeus ka khoon mere dimag se bahar aaya aur
meri aankhen khuli thek ussi waqt sapne me wo salakhen jinke andar me kaid tha wo
gaayab ho gayi aur uske saath main bhi azaad hokar gayab ho gaya tha

In my room

tumhe mere saamne jhukne ki zaroorat nahi hai Analia Ronit aur uske baad Avantika se
milne ke baad meri nazar Analia ki taraf ghumi jo ek tak mujhe hi dekhe jaa rahi thi jaise
hi maine uski taraf dekhawo apne ghutno par baithne ke liye hui par maine usse aisa karne
ke liye mana kar diya

Main:- maaf karna Analia maine apni pareshani me tumko bhi shaamil kar liya main aisa
karna nahi chahta tha par uss waqt mere paas aur koi raasta nahi tha

Analia:- aisa mat kahiye lord ye hamari khush kismati hai ki hum aapke kisi kaam aa sake
aur hum toh khud aapse milna chahte the

Main:- aur yahi wo wajah hai jiski wajah se main tumse maafi maang raha hun Vj ki baat
Avantika ko chhodkar kisi ko samjh me nahi aayi

Analia:- hum samjhe nahi Analia ki baat sunkar maine Avantika ki taraf dekha jo iss waqt
meri taraf hi dekh rahi thi

Main:- sorry AV

Avantika:- sorry kyu? jo bhi tumne kiya wo tumse zyada Analia ke liye faaydemand hai

Ronit:- koi mujhe bhi batayega ki kis bare me baat ho rahi hai

Main:- hum Analia ke yaha aane ki asli waah ke bare me baat kar rahe hain jahan meri
baat sun Analia ko sharm aa gayi wahi Ronit jo mere wapas aane ki khushi me sab bhool
gaya thauske dimag me bhi Analia wali baat click hui

Ronit:- arre haan wo baat toh main bhool hi gaya tha aur ab jab tu thek hai toh tujhe toh
Analia ke feelings ke bare me bhi pata chal gaya hoga

Main:- haan mujhe pata hai par asal me Analia ke mann main jo mere liye feelings hain

Avantika:- wo ek jhoot hai meri baat ko Avantika ne complete kiya par uss baat ke
complete hote hi jahan Ronit ko ek jhatka laga wahi Analiajiska sir haya ki laali ki wajah se
neeche thawo ek jhatke me upar uth gaya
Ronit:- abbe kya bol rahe ho feelings jhoot hai matlab?

Main:- matlab Analia ke dil me jo ehsaas hai jo usse batata hai ki wo mujhse pyar karne
lagi hai wo jhoot hai Analia mujhse pyar nahi karti meri baat sunkar jahan Ronit ko laga
jhatka double ho gaya wahi

Analia:- nahi hamare jasbaat jhuthe nahi hain lord hum sach much aapse prem karte hain
Analia ki baat sun main muskura utha aisi hi ek muskurahat iss waqt Avantika ke chehre
par bhi thi

Ronit:- abbe tum dono daant dikhana chhodo aur iss matter ko clear karo

Main:- dad

Ronit:- abbe ab ye dad kaha se beech me aa gaye

Main:- aa gaye nahi aa rahe hain dad aur mom dono room me aa rahe hain unke jane ke
baad baat karte hain yaha meri baat khatam huiwaha mere room ke door par knock hua
Ronit door ke sabse karib tha issliye usne door khola jaisa ki maine kaha tha iss waqt door
ke saamne haathon me coffee ki tray liye mere dad khade the aur unke saath mom khadi
thi door khulte hi dono andar aa gaye jahan mom bas khadi rahi wahi dad tray ko rakh
mere saamne aakar khade ho gaye aur agle hi pal unka haath mere maathe par tha aisa
lag raha tha maano wo mera temperature check kar rahe hon

Main:- my health iss fine dad main janta tha ki dad apne sapne ki wajah se pareshan hain
ab na toh wo directly uss bare me mujhse kuch puch sakte the aur naa hi main kuch bata
sakta tha issliye

Dad:- beta tu itne din Delhi me raha waha tujhe kisi ne pareshan toh nahi kiya naa agar
koi problem hui hai toh mujhe batai will sort it out main kuch der tak dad ko dekhta raha
fir

Main:- ek problem hai dad jahan meri baat sun dad ke chehre ki pareshani aur badh gayi
wahi mom jo ab tak casually hum dono ki baat sun rahi thi wo bhi alert si ho gayi aur dad
ke baaju me aakar khadi ho gayi

Dad:- kya problem hai beta just tell meI’ll deal with it

Main:- pakka

Dad:- tujhe apne baap par shak hai kya?


Main:- hmm aapke chehre par jo ye tension dikh rahi hai naa yahi meri problem hai isse
hata lijiye then I am fine meri baat sun jahan mom relax ho gayi wahi

Dad:- tujhe meri tension ki itni hi fikr hoti toh mujhe chhodkar tu Delhi nahi chale gaya
hota waise toh dad apne emotions kabhi show nahi karte par abhi jo unhone kaha wo
bolte waqt unki awaaz bhaari ho gayi thi jise sunkar main turant unke pairon me jhuk gaya

Main:- sorry dad it wont ever happen again dad ne mujhe kandhe se pakad utha liya aur
mujhe gale laga liya mom bhi iss hug me shaamil hona chahti thi par unhe ye waqt bas ek
pita aur bete ka laga issliye wo wahi khadi rahi

Dad:- (mann main) kuch din pehle bhi maine Vicky ko gale lagaya tha par tab me aur ab
me bohat fark lag raha hai uss din lag hi nahi raha tha ki main apne bete ko gale laga raha
hun par aaj dil ko ek sukoon sa mil raha hai main dad ki mann main chal rahi baaton ko
sunkar muskura utha waise meri feeling bhi mutual thi mujhe bhi aaj dad ko hug karke
bohat light feel ho raha tha kuch der tak mujhe yunhi gale lagaye rakhne ke baad dad jab
mujhse alag hue toh

Dad:- ek baad hamesha yaad rakhna maine naam shohrat paisa apne liye nahi kamaya
tere liye kamaya hai jab maine tujhe Delhi ke uss hotel me ek waiter ke dress me dekha
toh ek pal liye mujhe aisa laga ki meri saari mehnat bekar ho gayi mujhe aisa laga jaise
mera sab kuch loot gaya hai ek jhatke me main ameer se garib ho gaya tha main dobara
uss feeling se guzarna nahi chahta

Main:- dad meri sabse badi trophy aapki aur mom ki aankhon ki chamak aur honthon ki
muskurahat hai kisi bhi cheez ke liye main iss trophy ko nahi kho sakta issliye maine kaha
ki it wont happen ever again dad ne pyar se mere sar par haath fera

Mom:- lo aap dono ki senti baaton me main jo coffee bachon ke liye laayi thi wo thandi
ho gayi

Dad:- tum laayi thi ki main laya tha kabhi kabhi toh mujhe lagta hai ki meri jagah tumhe
business sambhalna chahiye mujhe upar aata dekh tumne apna kaam bhi mujhse hi kara
liya ab hua na ye business mind senti baatein khatam hui nahi ki mom dad ki natural masti
shuru ho gayi

Mom:- business man toh aap hi hain dekho kitni asaani se apni galti mujhpar daal di

Dad:- galti nahi madam humne aapke gale me warmaala daala hai hamari mohabat ka
suboot aapko pehnaya hai dad ki baat sunkar mom ke gaal laal ho gaye
Dad:- galti nahi madam humne aapke gale me warmaala daala hai hamari mohobbat ka
suboot aapko pehnaaya hai dad ki baat sunkar mom ke gaal laal ho gaye

Mom:- kuch bhi naa dekhna bhi nahi hai ki kaha khade hain? bas shuru ho jana hai

Dad:- arre apne hi bacchon se kaisi sharam aur waise bhi humse hi toh hamare bacche bhi
apni future wife aur future husband se pyar karna sikhenge

Mom:- haanyahi bacha tha apaka sikhana bacchon ko chalo ab yaha se bacchonmain
tumhare liye dusri coffee bhijwati hun

Dad:- arre hamare ghar me ye naya mehmaan kaun hain dad ne Analia ko dekh kaha fir
Avantika ne dad ka Analia se intro karaya Analia dad se bhi waise hi mili jaise wo mom se
mili thi jise dekhkar dad ko bhi pehle shock laga par fir jab Avantika ne dad se bhi wahi
kaha jo sabse kehte aa rahi hai toh dad normal ho gaye sabse milkar dad aur mom room
se bahar nikal gaye

Ronit:- what was that all about? ye uncle achanak itne senti kyu ho gaye the? mom dad
ke jaate hi room lock kar Ronit ne pucha fir maine usse aur sab ko dad ke sapne ke bare
me bataya aur uss sapne ke aane ka reason bhi jise sunkar sab normal ho gaye

Ronit:- I hope that's all right I mean teri urja se unhe aur koi problem ya koi side effect
toh nahi hoga naa

Main:- nopes tension mat le sab theek hai

Ronit:- toh ab

Main:- ab mujhe kahi jana hai

Ronit:- jana hai kahan? par maine Ronit ko koi jawab nahi diya aur aakhen band kar li

Main:- (mann main) main aa raha hun main aa raha hun kawach bhangam ab mere room
me ek tez roshni hui aur jab wo roshni ghati toh main gayab ho chuka tha

Ronit:- abbe saala ab ye kaha gaya? jahan mujhe yun achanak gaayab hota dekh Ronit aur
Analia chonk gaye wahi Avantika ke chehre par muskaan naach gayi jise Ronit ne dekh liya

Ronit:- Avni tujhe pata hai ki Vj kaha gaya hai?

Avantika:- haan

Ronit:- kahan?
Avantika:- apna farz pura karne

Analia:- par hamari baat toh adhuri reh gayi

Ronit:- haan yaar

Avantika:- Vj jis kaam se gaya hai wo zyada zaroori hai chinta mat karo Vj jaldi hi aa jayega
fir jo puchna hai wo puch lena

Ronit:- yaar Avnitu bhi toh sab janti hai tu hi bata de

Avantika:- nahi yaar ye sab Vj ne kiya hai wahi bataye toh thek hai

Analia:- toh ab hum kya kare?

Ronit:- bhai sahab ka intezaraur kya?

Planet: Isla Place: Inside Gods barrier

main aa raha hun kawach bhangam ab jaise hi dhayan me baithe Defender ke kaano me
main aa raha hun ye shabd gunje unki aakhen khul gayi aur wo jhat se khade ho gaye

dusri awaaz jo ki mere dwara bola gaya spell tha uske Defender ke kanao me gunjte hi
unke charon taraf faila God's barrier shield hat gaya jaise hi sheild hata ek ke baad ek do
cheezen hui pehli ek baar firse meri awaaz jisme maine ab kaha tha Defender ke kaano
me gunji aur uss awaaz ke gunjte hi bandham muktam confinement release Defender ne
apne haath failaye aur iss spell ko uchharit kiya aur aisa karte hi Defender ke haathon se
shakti shaali rays nikle aur Isla aur Warriors World ke har taraf tezi se badhe

Dusra:- jaise hi Defender ke saamne se barrier hati Beelzebub ko pata chal gaya aur agle
hi pal wo Defender ke saamne prakat hua

Beelzebub:- main aa gaya jahan ye bolte waqt Beelzebub ke chehre par ek zehrili muskaan
thi wahi Defender bhi halka halka muskura rahe the

Defender:- toh intezar kis baat ka hai? waar karo waade ke mutabik main tumhare waar
ko rokunga nahi Defender ki baat sun Beelzebub ko ghussa aa gaya usse aisa laga jaise
Defender usse kuch bhi nahi samjhta aur issliye praan ghaatham life attack Beelzebub ke
hatheliyon me gaadhi tez chingariyan dikhne lagi Beelzebub ne apne dono hatheli ko
saath me kiya jise uski dono hatheliyon ki chingariyan aapas me mil gayi aisa hone se un
chingariyon ki shakti doguni ho gayi
Beelzebub:- alvida Defender apni baat keh Beelzebub ne apne dono haathon ko aage kar
diya Beelzebub ke haathon se wo chingariyan tez gati se nikli aur Defender ki tarf badh
gayin waar kar Beelzebub apne dono haath kamar par tikaye khada muskura hi raha tha
ki asambhav ye baat Beelzebub ke mouh se nikli thi is waqt Beelzebub ki aakhen aisi thi
maano abhi fat kar bahar aa jayengi wahi Defender ab bhi waise hi muskurate hue khade
the bas ek fark tha aur wo ye ki iss waqt unke gale me pushpon ki ek badi si mala latki hui
thi ye pushp aur kuch nahi balki wahi chingariyan thi jo Beelzebub ne Defender ko maarne
ke liye chhodi thi

Beelzebub:- ye kaise ho sakta hai? Beelzebub ne atakte atakte apni baat kahi apne sawal
ka jawab toh usse mila par uss jawab ko sunkar ya fir ye kahu ki uss jawab ko dene wali
awaaz ko sunkar Beelzebub ke bache khuche hosh bhi ud gaye kya tumhe tumhare pitah
ne nahi bataya tha ki jab kisi kisse me Asmodeus ya Vikram hote hain toh kuch bhi ho
sakta hai ye awaaz pure Isla aur Warriors World me gunji thi impact itna zyada tha iss
awaaz me ki pura grah Setu tak kaamp utha aur uss ke saath sath hil gaye uske andar
moujud Isla aur Warriors World ke log un logon ko meri ye awaaz toh nahi sunayi di par
uss awaaz se paida hui kampan unhe apne niche ke zamin par mehsoos hui thi aur kisi ko
toh nahi par Alesendra ko ho rahi kampan ke kaaran ka andaza ho gaya tha aur issliye

Alesendra:- Vikram aa gaye Alesendra ne ye baat zor se kahi thi jise uske paas moujud
sabhi ne sun liya tha mera naam sun wo sab mera naam pukarne lage aur dekhte hi dekhte
pure Isla aur Warrior World ke vaasiyon ko andaza lag gaya ki main wapas aa gaya hun
wahi bahar Beelzebub meri awaaz sunkar bohat ghabra gaya tha bas saamne se usne apne
aap ko mazboot dikhane ke liye kaha

Beelzebub:- toh sabke chahete Lord of Angels aakhir aa hi gaye

Main:- meri awaaz sunkar tumhe itni khushi milegi ye toh maine bhi nahi socha tha jab
awaaz sunkar ye haal hai toh mujhe dekhkar tum kitne khush hoge aur tumhari khushi me
hi toh meri khushi hai mere bhatije aur issike saath Beelzebub se kuch hi door saamne
safed dhua ki ek chaadar si bichne lagi uss safed dhuen ki chaadar se white rays nikalkar
har taraf faile rahe the jiski wajah se Isla aur warrior world me chaya andhera chhatne
laga tha jaise hi saara andhera chatasaare white rays nikalna band ho gaye aur safed dhua
bhi ek jagah par aakar khudko sokhne laga jaise hi safed dhua chattaBeelzebub ko apne
saamne ek lambe complete white dress me khada ladka dikhne laga jo ki aur koi nahi main
tha mujhe dekhte hi Defender apne ghutno par baith gaye par wo apni nazre mujhse hata
nahi paye aur iski wajah ye thi ki iss waqt mere chehre par ek aisa tej tha jise ek taraf
Defender ko ek sukun sa mil raha tha wahi Beelzebub ko apne sharir me ek kasaavat si
mehsoos ho rahi thi usse aisa lag tha jaise wo kabhi bhi mar jayega Beelzebub aaj mujhe
pehli baar mere pure Lord of Angels ke roop me dekh raha tha par usse iska andaza nahi
tha ki mera ye roop usse itni ghutan mehsoos kara sakta hai main chalte hue uske paas
jane laga jaise jaise main uske kareeb jaa raha tha waise waise uski haalat aur kharab hone
lagi thi usse pata hi nahi chala ki kab wo apne ghutno par aa gaya tha uske chehre par ek
dard ki lakir saaf dekhi jaa sakti thi aur jaise hi maine ek kadam aur aage badhaya

Beelzebub:- basss main aur nahi seh paaunga Beelzebub ki baat ya fir ye kahu ki uski
guhaar sunkar main ruk gaya

Main:- jab taklif sehen nahi hotitoh khud dusro ko kis adhikar se chot pahuchate ho maine
apna tej kam kar diya jiski wajah se Beelzebub ki haalat sudharne lagi

Main:- jao Beelzebub kuch din aur ji lo

Beelzebub:- kya mere ek sawal ka jawab denge?

Main:- usse pehle tumhare uss sawal ka jawab jaan lena chahiye jo tumhare mann main
yaha pichli baar aane par utha tha meri baat sun Beelzebub ko yaad aaya ki pichli baar jab
wo yaha se gaya tha tabse hi uske mann main ek sawal tha jiska jawab usse abhi tak nahi
mila hai sawal yaad aate hi Beelzebub kuch kehne hi wala tha ki

Main:- kuch din pehle Defender ko iska abhas ho gaya tha ki meri pehchaan paane ka
tarika mil chuka hai (doston aapko yaad hoga ki Defender ne Alesendra se kaha tha ki usse
grah Setu se bahar jana hoga aur Alesendra ke reason puchne par usne usse kuch kaha
tha ye wahi wajah hai) aur issliye wo grah Setu se bahar aaye kyu ki wo jante the ki main
thek hote hi yaha aane ki koshish karunga aur grah ke bandhe hone ki wajah se mujhe
yaha pahunchne me pareshani hogi par Defender tumhare bandhan ko aasani se tod
sakte the aur issi baat se paida hota hai tumhara dusra sawal tum yahi puchna chahte the
naa ki maine tum logon ke bandhan ko kaise toda jabki jis bandhan se tumne in do grahon
ko baandha thawo Asmodeus ki banayi spell se bana tha jise ya toh khud Asmodeusya fir
uski ijazat se tum ya Bhuvika hi tod sakti thi

Beelzebub:- ji

Main:- maine tumhare dwara baandhe bandhan ko nahi toda balki Defender ne toda hai
aisa nahi tha ki main tumhare iss bandhan ko tod nahi sakta tha Isla aur Warriors World
white energy wale grah hain aur har white energy wale desh me kitni bhi badi badha hone
ke baawjud waha pahunchnameri liye koi badi baat nahi hai par agar main tumhare
bandhan ko todne ke liye iss grah ke bahar se apni shakti ka prayog kartatoh uska asar
yaha andar moujud grah Setu par bhi hota aur iss waqt grah Setu me yaha ke log moujud
hai issliye main ye khatra nahi utha sakta tha par grah Setu banate waqt maine in do
grahon ko Defender ke saath jod diya tha in do grahon ki neev me Defender ki shaktiyan
mili hui hai tumhare spell ne sirf in grahon ko baandha thaDefender ki shaktiyon ko nahi
jo yaha ke kan kan me hai tumhare baandhe badhan ka aakhri chhor Defender ki shaktiyon
ke upar aakar ruk gaya jise Defender ko hatana nahi thabas khud ke upar se dhakelna tha
Defender ke aage bas ek hi mushkil thi Gods barrier jise wo hata nahi sakte the par yaha
aane se pehle maine usse hata diya Gods barrier ke hatthe hi Defender ne tumhare
bandhan ko khudke upar se dhakel diya Beelzebub ek tak meri baaton ko sune jaa raha
tha usse tab hosh aaya jab meri awaaz dobara uske kaano me gunji

Main:- ab toh mere bhatije ki jigyasa khatam ho gayi hogi toh tum yaha se jaoge ya thoda
aur dard sehna hai mere bolne ki bas der thi agle hi pal Beelzebub gayab chuka tha
Beelzebub ke gaayab hote hi jaise main paltatoh Defender ko apni taraf dekhta paya

Main:- Defender aap kuch puchna chahte hain?

Defender:- ji lord aapne Beelzebub ko jane kyu diya? usse uski karni ki saza kyu nahi di

Main:- ye itna bhi aasan nahi hai Defender agar main Beelzebub ko maarne ki koshish
karta toh usse pehle hi Asmodeus usse gayab kar deta Beelzebub ko maarne ke liye
Asmodeus ko kamzor karna zaroori hai khair ye sab jane dijiye jaaiye kafi arsa ho gaya
aapke logon ko grah Setu me bandh hue sabko bahar le aayiye Defender ne mere aage ek
baar sar jhukayea aur grah Setu ki taraf mud gaye wahi grah Setu ke andar jabse sabhi
logon ko mere aane ka andesha hua tha tabhi se sab badi besabri se mere un sab ke
saamne aane ka wait kar rahe the wo sab tak taki lagaye grah Setu ke darwaaze ki taraf
apna apna chehra kiya khade hua the ki tabhi ek zordar garjana ke saath grah Setu ka
darwaza khul gaya iss waqt saare logon ke saamne Defender khade the

Defender:- chaliye Lord of Angels aap sab ko bula rahe hain mera naam sunte hi Alesendra
king Solomon unki patni Lord Alesendra aur dono grah ke sabhi log khush ho gaye sabhi
mere naam ka shor machate hue grah Setu ke bahar aane lage main bhi grah Setu ke paas
aa chuka tha jaise hi sabki nazar mujhpar gayi sabhi turant apne ghutno par aa gaye
Alesendra uske maata pita Lord Crusedar aur sabhi ke aankhon me iss waqt khushi saaf
dikh rahi thi

Main:- khade ho jaaiye mere bolte hi sab khade ho gaye


Main:- mujhe maaf kijiyega aap sab itne taklif me the fir bhi main itni der se aaya hun

Alesendra:- aap maafi maangkar hume gunahgaar mat banayiye Vikram hume andaza hai
ki aapki apni pareshaani hogi aur wo pareshaani hamari soch se bhi badi hogi aur issi
wajah se aap nahi aa paye par hum aap ka hriday se dhanyawaad karte hain ki aapne
pehle si hi musibat ke waqt hamare aasre ke liye grah Setu ko surakhshit kar diya tha
Alesendra ki baat par sabhi ne haami bhari aur ek baar fir se pura mahoul mere naam se
gunj utha

Main:- Alesendra ummid toh sabhi ko mujhse thi par jo bharosa tumne mujhpar dikhaya
hai wo dikahana aasan nahi hota tumse zyada sakaratmakta bohat kam logon me hoti hai
meri baat sunkar Alesendra bas muskura di main baat toh sabhi grah waasiyon se kar raha
tha par saath saath mere saare sharir se adrishya rays nikalkar dono grahon me fail bhi
rahi thi un rays ki shakti ko aur toh koi nahi par Defender zaroor feel kar paa rahe the
Defender mujhse iss bare me baat karna chah rahe the par iss waqt chup the par mujhse
unke mann ka sawal chhupa nahi tha maine ek bar unki taraf dekhe aur fir

Main:- maine aapke dono grahon ko apni urja se jod diya hai ab aapke grah ko nuksaan
pahunhane ke liye kisi ko bhi pehle mujhe nuksaan pahunchana hoga meri baat sunkar
dono grahon ke logon ki khushi double ho gayi

Main:- ab aap sab nishchint hokar apna jeevan yaapan kare ab aapko koi taklif nahi hogi
ab mujhe ijazat dijiye Mokalsar tum mere saath chal rahe ho Mokalsar jo jab se grah Setu
se bahar aaya tha tabhi se apne doston ke paas jane ko tadap raha tha wo ek aas lagaye
meri taraf dekh raha tha aur jaise hi maine usse pukara Mokalsar jhat se mere paas aa
gaya Lord Crusedar king Solomon Alesendra uski mom sabhi mujhe rokna toh chahte the
par wo jante the ki main kaha jane wala hun issliye kisine kuch nahi kaha aur mere aage
apne haath jod diye maine ek baar muskurakar sabki taraf dekha aur agle hi pal main aur
Mokalsar gaayab ho chuke the

Planet: Gluto Place: Palace Hall

kya baat hai tu aaj badi khush lag rahi hai Shaila iss waqt apne pyar Akshaant ki taraf dekh
rahi thi aaj uska mann bohat hi prafullit tha uska chehra khila hua tha par iss khushi ka
reason wo khud nahi janti thi tabhi achanak saamne se aaye iss awaaz se uski nazar
saamne gayi Shaila ke saamne iss waqt Bhuvika khadi thi par aaj Bhuvika ko dekhkar bhi
Shaila ki muskaan gaayab nahi hui ulta uski muskurahat aur badh gayi jise dekh kar
Shaila:- lagta hai tu bhool gayi hai ki tu iss waqt kaha hai aur kin haalat me hai aur shayad
tu ye bhi bhool gayi ki maine tujhe kya kaha tha? ki jab jab bhi tu khush hogi main teri
hasne ko tere rone me badal dungi ye bolte bolte Bhuvika ke haathon me urja ke do gole
dikhne lage jise dekhkar Shaila ke chehre ki smile gayab ho gayi Shaila janti thi ki usse chot
pahucnhane ke liye Bhuvika Akshaant par hamla karegi Shaila kuch bolne hi wali thi ki
Bhuvika ne un do urja ke golon ko Akshaant ki taraf chood diya aur agle hi pal asambhav
theek Beelzebub ki hi tarah Bhuvika ke mouh se bhi ye shabd nikla reason wo do urja ke
gole usne Akshaant ke taraf chhode the wo gole Akshaant ko chot pahucnhane ki jagah
uske kaid ki rihayi ban gaye the jaise hi wo gole Akshaant se takraye Akshaant ka sharir jo
akad kar hawa me latka hua tha wo normal ho gaya aur agle hi pal Akshaant zamin par
tha par itne dino tak lagatar akde hue khade rehne ki wajah se Akshaant khada nahi reh
paya aur ladkhada kar girne laga par tabhi do mazboot haathon ne usse sambhal liya aur
jaise hi Akshaant ki nazar usse sambhalne wale par gayi toh uski khushi ka thekana nahi
raha

Akshaant:- Mokalsar mere bhai tu aa gaya jahan Mokalsar ko dekhar Akshaant khush ho
gaya tha wahi Akshaant ki haalat dekhkar Mokalsar ke aansu nikal gaye the

Mokalsar:- mujeh maaf kar de mere bhai tu itni mushkil me tha aur main tujhe bacahane
nahi aa paya

Akshaant:- paagal hai kya? main toh khud ishwar se dua karta rehta tha ki tu hamare jaisi
musibat me naa pade Mokalsar ne sahara dekar Akshaant ko uthaya aur fir dono bhai gale
lag gaye jahan Akshaant ko kaid se azad dekh aur sath hi Mokalsar ko dekh Shaila ki khushi
ka thekana nahi raha wahi Bhuvika ka dimag kharab ho gaya

Bhuvika:- Mokalsar tu yaha kaise pahuncha? khair ab tu bhi nahi bachega teri haalat bhi
main Akshaant jaisi kar dungi fir dono bhai ek dusre ke baaju me akde khade rehna
Bhuvika ki baat sunkar pehle toh Mokalsar ko ghussa aaya par fir uske chehre par
muskurahat aa gayi

Mokalsar:- koshish kar ke dekh le Mokalsar ki baat sunkar Bhuvika ko ghussa aa gaya usne
apne dono haath failaye aur mann hi mann ek vidhwanshi spell ko uccharit kiya aur agle
hi pal

Bhuvika:- ye kaise ho sakta hai? mere mantra kyu kaam nahi kar rahe hain Bhuvika ne
mann main jo mantra bola usse kuch nahi hua uske baad Bhuvika ne kayi spells bole par
kisi bhi mantra ne kaam nahi kiya mantra Bhuvika meri marzi ke bina naa toh tumhare
haath kaam kare ge aur naahi hi pair jaise hi ye awaaz hawa me gunji do chizen hui pehli
Akshaant aur Shaila ki khushi ka thekana nahi raha dusri Bhuvika ko apne ridh ki haddi me
ek thandi leher doudti hui si mehsoos hui iska kaaran wo bhi nahi janti thi fir bhi uska dil
zor zor se dhadak raha tha Bhuvika kuch kehti usse pehle hi usse thodi door upar hawa
me antariksh ban gaya uss antariksh me chote chote chaand sitare planets sab dikhne
lage aisa lag raha tha maano bramhaand ka ek chota roop mahal ke diwaron ke just
neeche ban gaya hai Shaila Mokalsar Akshaant aur Bhuvika aankh faade iss drishya ko
dekh rahe the ki tabhi saare grahon stars ke beech mera chehra dikhne laga aur jaise hi
aisa hua hawa me bane uss chote se antariksh se bohat zyada maatra me white energy
nikalne lagi wo saari white energy dheere dheere antariksh ke neeche ikattha hone lagi
aur dekhte hi dekhte wo white energy ek bawandar ka roop lene lagi par ek ajeeb baat
thi uss white energy ke bawandar se jo power release ho rahi thi usse Shaila Mokalsar aur
Akshaant ko toh koi pareshani nahi ho rahi thi par Bhuvika ka dum ghutne laga tha kuch
der tak bawandar apni jagah ghumne laga par fir achanak goli se tez speed se wo white
energy ka bawandar Bhuvika ki taraf lapka kyu ki Bhuvika ka dum pehle hi ghut raha tha
issliye usks dyhan uss bawandar ki taraf nahi tha aur issliye uss bawandar ne Bhuvika ko
aasani se apne ghere me le liye ahhh white energy se bani uss bawandar me bohat zyada
urja thi jise Bhuvika ki cheekh nikalne lagi kuch der tak wo bawandar yunhi Bhuvika ko
khud me lapete ghumti rahi fur achanak gaayab ho gayi Bhuvika me ab bilkul bhi taakat
nahi bachi thi wo dhaam karke neeche gir gayi par abhi bhi uski ankhen aadhi khuli hui thi
aur unhi adkhuli aakhon se usne dekha ki uske theek saamne ek dhua utha aur uss dhuen
ke beech se main bahar nikla

Main:- jo antariksh ka chota sa bhaag tumne abhi dekhaun sab ko shakti mujhse hi milti
hai pure bramhaand ki urja jiise jeevit haitum ussiko maarne ka swapn dekh baithi Bhuvika
isse zyada Bhuvika kuch bhi sun nahi payi uski aankhen band ho gayi uski aankhen band
hote hi wo gaayab ho gayi Bhuvika ke gaayab hote hi main Shaila aur baaki dono ki taraf
palta Akshaant abhi bhi bohat kamzor dikh raha tha meri index fingure se ek white ray
nikli aur Akshaant ke andar sama gayi dekhte hi dekhte Akshaant ki saari energy waapas
aa gayi Akshaant ko wapas theek dekh Mokalsar aur Shaila khush ho gaye

Main:- Akshaant Mokalsar mujhe maaf kar do meri wajah se hi tum dono itni taklif me the

Shaila:- aap maafi mat maangiye Vikram achhayi aur burayi ke beech ladhayi toh hoti hi
rehti hai par haan main ek baat ke liye tumse naazar hun

Main:- maine Bhuvika ko jane diya issliye Shaila ne haan me gardan hilayi maine kuch nahi
kaha balki apna haath aage kar diya mere haath se teen roshniyan nikli aur un teeno ke
sar me sama gayi aur aisa hote hi un sab ke dimag ke andar ek film si chalne lagi jise dekh
kar ya yun kahu roobaroo hokar jab teeno ne meri taraf dekha toh teeno ke chehre par
ghor aascharya tha

Main:- aur koi sawal meri baat sunkar teeno kuch der tak mujhe dekhte rahe fir

Shaila:- mujhe kuch kehna hai?

Main:- main janta hun Shaila ki tum kya chahti ho aur agar tum aisa naa bhi chahti toh
main ye karne hi wala tha par abhi abhi tum teeno azaad hue ho aur saath hi azaad hue
hain tumhare grah kuch din toh lagenge tumhe apne apne grahon ko punah thek se
sanchalit karne me ek baar tum sab ke grah punah pehle ki tarah suniyamit tarike se
chalne lage uske pashaat tum sab ko mere saath kahi jana hai

Teeno:- kahan?

Main:- Mirror World

Planet: Earth Place: Vj's room

yaar ye kaha reh gaya? saale ko gaye ek ghante se upar ho chuka hai kahi wahi settle hone
ka irada toh nahi bana liya ya firse bina bataye koi nayi jagah nikal liya hai saala iss baar
bina mujhe liye kahi gaya naatoh chhodunga nahi usse main yaar Avni zara apna network
toh jod usse aur pata kar ki kamina kab aayega

aayega nahi aa gaya isse pehle ki Avantika Ronit ke bakwaas ka koi jawab deti mere room
me meri awaaz gunj gayi Analia aur Ronit iss waqt couches par baithe hue the wahi Avni
meri photos ko dekh rahi thi jab meri awaaz un sab ke kaano me gunji awaaz sun jab teeno
palte toh dekha ki main apne bed par leta hua tha

Main:- saale kya kya bakwaas kar raha tha tu kitna baar tujhe bola hai ki jab shakal achi
na ho naa toh kamse kam baatein achi karni chahiye

Ronit:- saaleteri aisi ki taisi ye bolkar Ronit mere upar kood gaya aur shuru hui hum dono
ke beech wwe fight jise dekhkar ek taraf Avantika hase jaa rahi thi wahi dusri taraf Analia
situation ko samjhne ki koshish kar rahi thi iss waqt main Ronit ko ulta kar uske peeth me
chadha hua tha aur uske dono haathon ko piche ki taraf mod kar pakad liya tha Ronit
mujhe jhatka dekar khudke upar se uthane ki koshish kar raha tha par ab aisa bhi hone
laga toh main toh ghutne bhar paani wale naale me hi doob kar mar jaaun
Analia:- ye dono ladh kyu rahe hain aur Ronit ji ko toh pata hai naa ki unke mitr kaun hain
fir bhi wo unse bhid gaye Ronit ji ko chot lag jayegi

Avantika:- Vj duniya ke liye Lord of Angel hai apne dost ke liye nahi aur rahi baat chot
lagne ki toh Vj ke hote Ronit ko kuch nahi ho sakta ye dono bachpan se hi aise ladhte aa
rahe hain abhi dekhna Ronit pehle koi dialouge matlab koi baat kahega par jab Vj par uski
baat ka koi asar nahi hoga toh uske baad Vj ko chhodne ke liye nivedan karega aur hua
bhi waisa hi jaise Avni ne kaha tha kuch der tak Vj ko push karne ki koshish karne ke baad
bhi jab koi result nahi nikla tab

Ronit:- peeth par toh kaayar waar karte hain himmat hai toh saamne se ladh kar dikha

Main:- aur jispar waar kiya jaa raha ho wo khud kaayar ho toh khudki phatethe hi dialouge
maarne lage toh janta hai kya karna chahiye ye apni baat keh main zor zor se Ronit ke
peeth par kudne laga

Ronit:- aahhh mar gaya saale bhai chhod de yaar main haar gaya jahan ek taraf Ronit ki
baat sun main uske upar se hat gaya wahi Analia aur Avantika hasne lage sidhe hone ke
baad Ronit ne pehle un dono ki taraf ghur kar dekh auske baad kuch der tak mujhe ghurne
ke baad wo bhi hasne laga aur uske saath saath main bhi

Ronit:- yaar ek arsa ho gaya tha hume aise lade hue

Main:- hmm par aaj bhi kuch nahi badla tab bhi tu rota tha aaj bhi tu rota hai meri baat
sun Ronit ne firse mujhe ek baar ghur kar dekha fir hum dono saath hi dobara hans pade
haste haste achanak Ronit ko mere jane se pehle kihuyi baatein yaad aayin aur jaise hi wo
baatein uski maind me click hui wo jhat se uth kar baith gaya

Ronit:- bhai ab toh bata de ki ye maajra kya hai Analia ke feelings ko tune aur Avni ne fake
kyu kaha Ronit ki baat sunkar Analia bhi serious hokar meri taraf dekhne lagi

Main:- kyu ki wo feeling fake hi hai Analia ke mann main mere liye uth rahe jasbaat jhuthe
hain

Analia:- nahi lord hamare mann main aapke prati jo prem hai wo swach aavum sacha hai
main aur Avantika Analia ki baat sunkar muskura diye

Main:- kisi cheez ke sach hone aur sach lagne me ek fark hota hai Analia par ye fark sirf
wahi bata sakta hai jise uss cheez ki kahani ke piche ka har pehlu pata ho jo tumhe nahi
hai tum uss kahani ka ek aisa hissa ho jo khudse jude ek bohat bade sach se anjaan hai
meri baat na toh Ronit ko samjh me aayi aur naa hi Analia ko
Ronit:- bhai teri ye hightech tecnology wali baatein hum logon ke samjh me nahi aati toh
please aasan language me bata

Main:- mere theek hone se kuch der pehle AV ne tum dono se khaas Analia ko lekar kuch
kaha thayaad hai Analia ko toh nahi par kuch der tak yaad karne ke baad Ronit ko Avantika
ki kahi baat yaad aayi

Ronit:- haan Avni ne kaha tha ki tune couris ped ke andar do kan daale the aur uske baad
khaas anali ke upar koi spell bola tha Ronit ki baat sun Analia ko bhi Avantika ki kahi gayi
ye baat yaad aa gayi

Main:- nisargapadwam bhava feeling of attraction yahi wo spell tha jo maine Analia ke
upar bola tha is spell se Analia ke andar mujhe dekh jo pehle se hi strong feelings mehsoos
ho rahi thi wo pyar ke ehsaas me badal gayi meri baat sunkar Analia shocked ho gayi
shocked toh Ronit bhi tha par saath hi uske mann main ek naye sawal ne ghar kar liya tha
aur issliye

Ronit:- yaar tune abhi kaha ki tujhe dekhkar iske mann main pehle se hi strong feelings
thi uska kya matlab hai? kaisi feelings? Ronit ke sawal par main muskura utha

Main:- kya baat hai har baat ke andar ek baat hoti hai usse samjhne ka hunar aana chahiye
tujhe meri ye batayi seekh yaad hai meri baat sunkar Ronit bhi muskura utha

Main:- haan mujhe pehli baar dekhte hi Analia ke mann main ek bohat hi strong aur
shaktishaali ehsaas ne janm le liya tha ek aisa ehsaas jo naa hi positive tha aur naa hi
negetive bas strong tha aur aisa hone ki wajah khud Analia bhi samjh nahi paa rahi thi
haina Analia

Analia:- ji aapko dekhte hi hume ajeeb sa mehsoos hone laga tha hum toh yaha tak bhool
gaye the ki hum Courious waasi hain aur sadiyon se shraap grast hain hume ek tadap bhi
mehsoos ho rahi thi aur saath hi ek sokoon bhi mil raha tha par aisa lagne ki wajah hum
samjh nahi paa rahe the

Main:- aur maine ussi ehsaas ke beech apne aakarshan spell ko daal diya tha mere
Courious se jane ke baad wo feeling aur badhne lagi jiska natija ye nikla ki Analia ne
mujhse milne ka faisla kiya yaad hai isne tum dono se kaha tha ki iske grah waasiyon ne
isse hi mujhse milne ke liye issliye chuna kyu ki main Courious iski wajah se hi pahuncha
tha

Ronit:- haan
Main:- ye baat puri tarah se sahi nahi hai ye baat toh iske grah vaasiyon ke dimag se nikal
hi chuki thi Analia ne hi un sab ko ye baat ki main uski wajah se Courious pahunch paya
hun yaad dilaya tha aur issliye usse hi mujhse milne aur dhanyawaad kehne ka pehla hak
banta hai main sach keh raha hun naa Analia meri baat sunkar Analia ne sar neeche kar
liya par usne waise hi apni baat kahi

Analia:- aapki saari baat sahi hai siwaye ek ki ki hamara aapke liye prem jhoota hai main
Analia ki baat sun kar muskura diya main janta tha ki mere dwara uske dil me daala gaya
jhoot uske liye toh sach hi hai jab tak mera jhoot uske andar rahega usse uski bhaavnaayen
sacchi hi lagengi aur issliye mantrayati nishbrabhavam spell unbound mere spell bolte hi
Analia ke sharir ko ek tez jhatka laga par isse pehle ki uss jhatke ki wajah se wo disbalance
hotiuske baaju me khadi Avantika ne usse sambhal liya ab Analia mere spell se azaad ho
chuki thi aur issike saath khatam ho gayi thi uski mere liye attraction par abhi bhi ek cheez
thi jo bachi hui thi kya ye Analia ki zubani hi sun lijiye spell se jo jhatka Analia ko laga tha
uski wajah se uska sar thoda bhaari ho gaya tha Analia ki aankhen band thi aur wo ab bhi
Avantika ke sahare hi khadi thi kuch der laga par fir Analia ne apni aakhen dheere se khol
di wo ab bhi mujhe hi dekh rahi thi par iss baar uska mujhe dekhne ke tarike me fark tha
jahan pehle uski aankhon me mere liye pyar dikh raha thawahi ab uski aankhon me mere
liye bas izzat thi

Main:- ab bhi apni baat pe kaayam rahogi Analia ne naa me sar hila diya par

Analia:- par ab bhi mere mann main aapko dekhkar ek ajeeb sa aakarshan mehsoos ho
raha hai ye wahi unsamjhi bhaavna hai jo maine aapko pehli baar dekhne par bhi mehsoos
ki thi ye wahi cheez thi doston jo ab bhi Analia ke andar thi mere prati ek strong
connection

Main:- mujhe pata hai Analia aur issi ansamjhi bhaavna ki wajah se hi maine tumhe chuna
tha yaha mere paas aane ke liye

Analia:- hum samjhe nahi

Main:- sab samjh jaaogi filhal mujhe aur AV ko kahi jana hai

Ronit:- sirf tujhe aur Avni ko saale tu fir mujhe chhod kar jane ki baat kar raha hai?

Main:- jahan main jaa raha hun waha tu nahi jaa payega Ronit aur AV ko bhi main issliye
le jaa raha hun kyu ki mujhe uski waha zaroorat padegi
Ronit:- yaar yahi toh baat hai tune mujhe itna kuch sikhaya fir bhi main iss kabil nahi hun
ki tere saath har jagah jaa paun main toh iss kabil bhi nahi ban paya ki khud ko aur apne
pyar ko bacha pata

Main:- wo issliye kyu ki tera saamna negetive energy ke ek bohat bade shorth se hua tha
jiske saamne koi bhi yodha tik nahi sakta

Ronit:- yahi toh main main keh raha hun? fir itni practice aise yudh shailiyan sikhne ka kya
fayeda jise hum khud tak ko naa bacha payen kya koi aisa tarika nahi hai jise main har
tarah ki shakti se naa sirf ladh paaunpar unse jeet bhi sakun Ronit ki baat sunkar main
muskura diya

Main:- teri aisi koi khwahish nahi hai mere bhai jo mujhse chupi hui ho ya fir main puri na
kar paaun kuch din ruk tujhe tere sawal ka jawab bhi mil jayega aur uss jawab ko jeene ka
mouka bhi bas sad mat ho abhi filhal hum dono jahan jaa rahe hain waha se wapas aa
jayen uske baad hum charon ko kahi jana hai

Ronit:- kahan?

Main:- saath chal raha hai naa pata chal jayega filhal bahar chalo hum sab mere room se
nikalkar niche ki taraf chal diye mom kitchen me thi unhe batakar ki main bahar jaa raha
hun hum sab ghar se bahar aa gaye

Main:- jab tak hum dono wapas nahi aa jaate tu Analia ko Mumbai darshan kara de Ronit
se apni baat keh maine apna haath Avantika ki taraf badhaya jise usne thaam liya agle hi
pal hum dono gaayab ho chuke the

Ronit:- saala kab kya karta haiye koi nahi jaan sakta chaliye madam aapko Mumbai
darshan karwaate hain Analia ne bas haan me apna sar hila diya Ronit apni bike laya tha
jo ki Analia ke liye ek nayi cheez thi bike par baith dono Mumbai darshan ke liye nikal gaye

Place: Twisted Dimension

ye hum kaha aa gaye? aur ye kaisi jagah hai? arre ye light balls itni hil kyu rahi hain
Avantika ko lekar iss waqt main antariksh ke beech me khada tha jis jagah hum dono
khade the wo antariksh ka ek ajeeb hissa tha ajeeb issliye kyu ki humse door door tak bhi
roshni ka ek halka sa kan bhi nazar nahi aa raha tha bramhaand ke iss hisse me ek taara
tak nahi jagmaga raha tha kuch bhi nazar nahi aa raha tha aur issliye hi Avantika ne pucha
tha ki hum kaha aa gaye hain par tabhi mere sharir se ek ke baad ek kayi tez prakash wale
light balls nikal kar har taraf failne lage par jaise hi wo light balls alag alag disha me jaakar
rukne ko hue wo puri tarah ruk nahi paye wo light balls asthi r hokar hilne lage apne sawal
puch jab Avantika ne meri taraf dekhatoh meri aakhon ko band paya wo janti thi ki main
zaroor kuch kar raha hun issliye mujhse nazar hata wo har taraf dekhne lagi light balls ki
wajah se ab waha ke mahoul ko dekha jaa sakta tha ye dekhkar Avantika ko shock laga ki
bina kisi prakashit vastu ke bhi waha kayi saare planets the haan ye sach tha ki un planets
me life nahi thi par fir bhi bina kisi surya ke kisi planet ka hona surprising tha kuch der tak
yunhi aankh band kare khade rehne ke baad maine apni aankhen kholi mujhe pata tha ki
iss jagah ko lekar Avantika ke mann main kayi sawal uth rahe hain issliye

Main:- waise toh iss jagah ka koi naam nahi par tum iss jagah ko Twisted Dimension keh
sakti ho Avantika jo iss waqt dhayan se iss jagah ko dekh rahi thi meri awaaz sun wo meri
taraf palti aur

Avantika:- main samjhi nahi

Main:- iss waqt hum universe ke ek aisa chhor par khade hain jo universe ka sabse ajeeb
aur alag bhaag hai

Avantika:- matlab

Main:- ye toh tum dekh hi rahi ho ki yaha kisi taare tak ki halki si tim timahat tak ki roshni
nahi hai aur ye issliye kyu ki ye jagah har chiz ki disha mod deti hai toh jitne bhi taare aur
baaki ke celestial chizen hain wo iss jagah ki sarhad par aakar dusre direction me twist ho
jaate hain

Avantika:- oh toh issliye Twisted Dimension aur issliye tumne jo light balls har jagah
chhode hain wo itne hil rahe hain ye jagah un sabko yaha se door fekne ki koshish kar rahi
hai

Main:- hmm

Avantika:- par yaha bohat saare planets moujud hain wo yaha kaise ruk gaye iss jagah ne
unhe kyu nahi fenka?

Main:- fenka nahi par unki movement rok di dekhonaa toh koi planet rotate kar raha hai
aur naa hi revolve meri baat sun Avantika ne wapas waha moujud planets ko dekha

Avantika:- arre iss taraf toh mera dhayan hi nahi gaya ye toh sach me naahi rotate kar
rahe hain aur naahi revolve par ek baat batao aisi weird jagah par hum kyu aayen hain?

Main:- jo mujhe karna hai uske liye iss jagah se behtar jagah nahi ho sakti
Avantika:- main samjhi nahi yaha tum kya karna chahte ho? Avantika ke sawal par maine
kuch nahi kaha bas apna haath uske sar ke upar rakh diya mere sar par haath rakhte hi
Avantika ke sar par ek roshni ubhri aur agle hi pal Avantika ko mere yaha aane ke kaaran
pata chal gaye reasons jaankar kuch der toh Avantika ne kuch nahi kaha bas mujhe ek tak
dekhti rahi fir

Avantika:- reasons toh mujhe pata chal gaya par tumne ye nahi bataya ki iske liye hum
yahi par hi kyu aaye hain?

Main:- kyu ki ye jagah sirf cheezon ko hi nahi dhakelti balki positive aur negetive energy
ko bhi dhakelti hai aur wo issliye kyu ki ye universe ki ek maatr aisi galaxy hai jiske kisi bhi
grah me jeeven nahi hai manushya nahi hai ab jahan insaan hi nahi hon waha white aur
black energy panap hi nahi sakti

Avantika:- iska matlab iss jagah ke bare me Asmodeus ko nahi maalum?

Main:- maalum hai par matlab nahi usse aisi jagah se kya matlab ho sakta hai jahan naa
toh uski energies kaam karti hain aur naahi white energies issliye uske dimag ka koi bhi
kona iss jagah se nahi juda hai

Avantika:- brilliant kya kya soch lete ho yaar tum

Main:- ab aap toh kamse kam hamari taarif naa kare

Avantika:- acha toh fir hum kya kare wo bhi bata dijiye

Main:- humse pyar

Avantika:- wo toh hum karte hi hain

Main:- zuban se toh keh diya ab zara paas aakar apni saanson ki mehek se apne ishq ki
deewangi ko hamare saanson se roobaraoo toh karwaiye

Avantika:- itni unromantic jagah me bhi itni romantic baat

Main:- mijaz me agar ishq ho toh fark nahi padta ki jagah kaun si hai Avantika ek tak mujhe
dekhne lagi par fir achanak uske dil me ek khayal ubhra ye khayal bas ek second ke liye
aaya hoga jise usne khud hi apne zehen se hata liya par uss khayal ne mujhe asliyat me
laa khada kiya

Main:- thanks AV mere mouh se thanks sun Avantika chonki

Avantika:- kisliye?
Main:- jis khayal ko tumhare dil ne tumhare dimag tak pahunchaya tha uske liye Avantika
jhat se mere gale lag gayi

Main:- abhi ke liye ye hug hi kafi hai ab jo karne aaye the wo kar lenfir hume kahi jana bhi
hai meri baat sun Avantika muskurate hue mujhse alag hui

Avantika:- thek hai par ab janab bhi bataayenge ki mujhe saath kyu laaye hain itna toh
mujhe pata hai ki bina reason tum mujhe aisi jagah par laaoge nahi issliye jaldi se batao
whats my role

Main:- smart girl toh suno abhi main dhayan me baithne wala hun dhayan me baithne
kuch hi pal ke baad meri saari urja mujhse bahar aa jayegi urja ke bahar aate hi main ek
spell bolunga spell ke uccharit hote hi jo hoga usse meri urja bhadak jayegi aur uss waqt
meri urja mujhe bhi nuksaan pahunchane ki koshish karegi isliye mere spell bolte hi tumhe
bhi apne kawach ko bahar nikalne ke liye ek spell bolna hai uss spell ke uchharit hote hi
tumhara kawach tumhare saath saath meri bhi body ko gher lega jise mujhe meri urja
nuksaan nahi pahuncha payegi

Avantika:- par main kaise spell bolungi? I mean tumhari urja ki wajah se mujhe spells aate
thepar ab jab tumhari urja wapas tumme sama gayi haitoh main fir se pehle ki tarah
normal ho gayi hun a girl without any power & the knowledge to use spells

Main:- a girl without without power but a girl with the strongest shield in the universe
tumhare paas kuch ho naa hois bramhaand ka sabse shakti shaali kawach hai jiska tum
jab chaahe jaise chaahe istemal kar sakti hobas tarika pata hona chahiye ya fir ye kahu ki
correct spell pata hona chahiye jo main tumhe bataunga aur rahi knowledge ki baat toh
mere sath rehte tum kisi bhi spell ko bolne aur istemal me lane ke liye capable ho tumhare
kahe gaye spell ko main tumhare kawach se jod dunga aur fir tum uss kawach ka use kar
paaogi

Avantika:- ok lets start then whats the spell? kawacham parivaranam shield cover

Avantika:- aur iss spell ko mujhe kab bolna hai?

Main:- jab ye ray tumhare sar ko touch kare ye bol maine apna haath aage kiya mere
haath se ek white ray nikli aur Avantika ke sar ke upar pahunch kar teher gayi

Main:- so am I understood kyu ki ek baar main dhayan me baitha aur meri urja bahar
ayiuske baad main tab tak kuch nahi kar sakta jab tak main tumhare kawach se protected
nahi hun
Avantika:- dont worry mujhe spell yaad hai jaise hi ye ray mere sir ko chuewegi main spell
bol dungi rest u better know

Main:- cool lets start then agle hi pal main wahi antariksh ke beech paalthi maar aakhen
band kar ke baith gaya mera dekha dekhi Avantika bhi meri hi tarah baith gayi bas fark
itna tha ki uski aankhen khuli hui thi jinse wo mujhe dekh rahi thi mere dhayan me baithne
ke kuch hi palon ke baad mera sharir tez chamakne laga mere sharir se nikalne wala tez
bohat zyada tha par Avantika mujhe aasani se dekh paa rahi thi aur iski wajah thi wo ray
jo iss waqt Avantika ke sir ke upar thi jo ki meri hi urja ka hissa tha kuch der tak mere pure
sharir se tej nikalta raha par fir wo tej jo ki asal me meri urja thi mere sharir se bahar
nikalne lagi aur kuch hi palon me meri urja mujhse thodi door jaakar ruk gayi jaise hi meri
urja mujhse bahar aayi ek ke baad ek do chizen hui ya fir ye kahu ek ke baad ek do spells
uccharit hue uddhar agrahati zakti prakati karoti borrowed power unfold pehla spell mere
mouh se nikla aur agle hi pal kawacham parivaranam shield cover mere urja ke mere
sharir se bahar nikalte hi Avantika ke sar ke upar jo ray tha wo uske sar me sama gaya aisa
hote hi Avantika ki aakhen band ho gayi aur agle hi pal uske honthon se wahi spell uccharit
hua jo maine usse bolne ke liye kaha tha mere spell uccharit hote hi mere andar se kuch
bahar nikla aur uss chiz ke bahar nikalte hi meri urja ne usse kheench liya par jaise hi wo
chiz aur meri urja ne ek dusre ko chhua wahi hua jo maine kaha tha meri urja disbalance
ho gayi disbalanced ho wo wapas meri taraf badhi par isse pehle ki wo mujhe chhuti
Avantika ke kahe spell ki wajah se uske andar se uski shield ek white ray ki chaadar ke
roop me bahar aayi aur usne mujhe aur Avantika ko apne ghere me le liya aur jaise hi meri
urja ne Avantika ke shield ko chhua wo shaant hone lagi aur dheere dheere puri shaant
ho gayi jaise hi wo shaant hui wo cheez jise meri urja ne kheencha tha wo meri urja ke
saath mil gayi urja ke firse balanced hone aur uss chiz ke usse mix hone ke baad meri
aakhen khul gayi meri aakhen khulte hi Avantika ki shield jisne mujhe ghere hue tha wo
hath gayi shield ke hatathe hi meri urja mere andar wapas sama gayi urja ke samate hi
meri aakhen kuch seconds ke liye band ho gayin aur fir khul gayi maine apna haath aage
kiya Avantika ki shield jo ab sirf uske charon taraf ghum rahi thi mere ishara karte hi wo
uske andar chali gayi aur agle hi pal Avantika ki bhi aakhen khul gayi aankhen khulte hi jab
usne mujhe uski taraf muskurata hua dekhte paya toh wo bhi muskura uthi

Avantika:- kaam hua?

Main:- ek hua ek baaki hai usse karne ke liye hume kal fir yaha aana hoga

Avantika:- kal kyu abhi hi kar lete hain naa


Main:- nahi uss kaam me zyada waqt lagega aur abhi hume kahi jana hai par usse pehle
ek aakhri kaam nipta lun ye bol maine aakhen band ki agle hi pal mere dimag se kuch rays
nikli jo asal me mere yaha ki yaad thi wo yaad jise maine abhi abhi jiya tha rays nikalkar
mere saamne aakar ruk gayi fir maine apna haath Avantika ki taraf kiya mere jaise hi rays
uske dimag se bhi nikal kar mere rays ke saath aakar ruk gaye unke rukte hi maine apne
haath aage kiye mere haatho se ek shield ray nikli aur usne mere saamne moujud rays ko
charon taraf se gher liya

Main:- done ab chalte hain

Avantika:- ye sab kya tha? fir maine Avantika ko jo maine kiya aur kyu kiya wo bataya

Avantika:- oh cool then lets go Avantika ki baat khatam hote hi hum dono gaayab ho chuke
the

Planet: Earth Place: Mall

yaar subah se shaam hone ko aayi hai ye dono abhi tak nahi aaye jaate waqt Vj ne kaha
tha ki uske loutne ke baad hume kahi jana hai lagta nahi hai ki jahan bhi hume jana hai
waha hum aaj nahi jaa payenge shaam ke for baj rahe hain Mumbai ke kuch achi jagahon
ko dikhane ke baad Ronit Analia ko lekar filhal ek maal aaya hai jiske cafeteria me dono
iss waqt baithe hue hain

Analia:- lord kisi zaroori kaam se gaye hain waqt lagna toh aam baat hai jab bhi unka kaam
samapt hoga wo aa jayenge

Ronit:- haan ye bhi hai

Analia:- kya hum aapse kuch puch sakte hain?

Ronit:- haan haan bindas pucho Ronit ne jo burger haath me pakda hua tha uska ek bada
sa bite lekar kaha

Analia:- kya aapke grah me sabhi aapke jitna hi khaate hain kho kho Analia ki baat sunkar
Ronit ko khaansi aa gayi wo kuch kehta usse pehle hi nahi Analia lagatar kuch na kuch
thusthe rehne ka vardaan sirf hamare Ronit bhai sahab ko mila hai ye awaaz aur kisi ki
nahi meri thi awaaz sunte hi Ronit palta aur mujhe dekhkar usne mouh bana liya

Ronit:- lo aa gaya mere khaane ke sabse bada dushman kya Analia tumhe mere khaane
ke bare me bolne ke liye yahi time mila tha kya?
Main:- abbe wo kisi aur time me bhi bolti naa toh bhi tu uss waqt kuch na kuch thoosatha
hua hi milta jahan meri baat par main aur Avantika hans diye wahi Ronit ka mouh ek baar
firse ban gaya aur Analia hume apne aakhon me sawal liye dekhne lagi

Analia:- kya hua? humne kuch galat kaha kya?

Avantika:- arre nahi yaar in dono ka ye sab chalta rehta hai

Ronit:- hum dono ka chhod pehle ye batao ki tum dono kaha gaye the aur aane me itni
der kaise ho gayi?

Main:- bataya toh tha ki kuch imp kaam tha ab kya ye tujhe baad me pata chal jayega ab
ye sab chhod filhaal hume kahi nikalna hai

Ronit:- ab ye toh kamse kam bata de ki hume kaha jana hai?

Main:- bhai mere tu bhi saath chal raha hai khud dekh liyo ab niklo yaha se main aur
Avantika aage aage nikle aur hamare piche piche Analia aur Ronit aane lage hum sab mall
ke basement me pahunche jahan iss waqt naa ke barabar log the ek jagah pahucnchkar
main ruk gaya mere rukte hi baaki ke teeno bhi mere aaju baaju ruk gaye

Ronit:- ab Ronit ke ab bolte hi mere body se teen invisible rays nikli aur un teeno par padi
aisa hote hi teeno ek saath meri taraf kheencha se gaye aur agle hi pal main un teeno ko
liye gaayab ho chuka tha

Planet: Monslickel

Place: Asmodeus palace father ye kaise ho sakta hai? mera matlab main janta hun ki
Vikram bohat shakti shali hai hum dono milkar bhi unse ladne ke layak nahi hain kintu fir
bhi hamare andar bhi kafi shakiyan hain iske baawajud hum unke samaksh kuch der khade
tak na reh paye

Bhuvika:- haan devil lord main aur Beelzebub toh ek dusre se jude hue hain fir jab Vikram
iske paas pahuncha isse taklif pahunchayi toh main isse kyu mehsoos nahi kar payi fir wo
mere saamne aaya aur main uski white energy ko jhel hi nahi payi jabki mere andar bhi
white energy hai fir aisa kyu hua? Beelzebub ki baat ya fir ye kahu ki uske sawal ko Bhuvika
ne aage badhaya toh hua ye ki Beelzebub toh khud Vikram ke saamne se gaayab hokar
Monslickel pahuncha tha wahi Bhuvika ko Asmodeus ne gayab kar khudke paas bulaya
liya tha par dono ke Asmodeus ke paas pahunchne par ek chiz common thi aur wo ye ki
dono hi yaha behoshi ke aalam me pahunche the reason jahan Bhuvika Gluto me hi
Vikram ki shaktiyon ko naa jhel kar behosh ho chuki thi wahi Beelzebub jab Vikram ke
saamne se gaayab hua toh wo behad kamzor tha aur gaayab hone ke liye usne apni bachi
khuchi urja ka istemal kar diya issliye Monslickel pahunchte hi wo behosh ho gaya
Asmodeus chahta toh un dono ko turant apni urja se hosh me laa sakta tha par usne aisa
kiya nahi kyu ki Vikram ki urja ki chapet me aane ki wajah se Bhuvika aur Beelzebub ke
sharir behad kamzor ho gaye the agar aisi haalat me Asmodeus unpar apni urja ka use
karta toh iska ulta asar padta Asmodeus ke aisa karte hi wo dono ek lambi behoshi me
chale jaate jinse Asmodeus unhe nikal toh leta par usme thoda waqt lagta aur aisi chizon
ke liye wo apna time waste nahi karna chahta tha issliye Asmodeus ne dono ko apne haal
par chhod diya kuch ghanton ke baad jab Vikram ki urja ka prabhav kuch kam hua aur tab
jaakar Beelzebub aur Bhuvika ko hosh aaya hosh me aate hi dono turant Asmodeus ke
saamne apna dukhda lekar pahunch gaye jise Asmodeus muskurate hue sun raha tha aur
jaise hi dono ke sawal khatam hue

Asmodeus:- pehle mere ek sawal ka tum dono jawab do agar tum dono milkar mujhse
mukalbla karo toh kya hoga

Beelzebub:- ladhna toh door ki baat hai shastra uthane ya mantra uccharan karne se pehle
hi hum dono mar jayenge

Asmodeus:- toh Vikram ke saamne tum dono kisi aur anjaam ke bare me kaise soch sakte
ho aur Beelzebub tumhe itna toh pata hi hai ki tumhari shakti mujhse hai jabki meri aur
Vikram ki shakti God se aur ye fark kafi hai tumhare samjhne ke liye ki tumhare saath jo
hua hai wo toh hona hi tha aur Bhuvika tumhe toh ab Vikram ke naam ki chinta karne ki
zaroorat hi nahi padegi Asmodeus ki baat sun Bhuvika ko samjh me nahi aayi aur issliye

Bhuvika:- aisa kyu devil lord? Bhuvika ke sawal par Asmodeus ne kuch nahi kaha bas
muskura kar Beelzebub aur Bhuvika ko palatne ka ishara kiya Asmodeus ke ishare ko
samjh Beelzebub aur Bhuvika palte par unke saamne kuch bhi nahi tha Bhuvika aur
Beelzebub dobara palatne hi wale the ki achanak

Dono:- ye sab kya hai? jahan dono ke mouh se ye baat ek saath nikli wahi Asmodeus ke
chehre ki muskaan aur gehri ho gayi toh hua ye ki jaise hi dono palatne ko hue thek ussi
waqt un dono ke saamne darbaar ke dono side ek saath alag alag jagah par bohat saare
dhuen uthne lage aur isse pehle kii Beelzebub aur Bhuvika Asmodeus ki taraf wapas palat
in sab ke hone ka kaaran jaan paate wo kaaran unke aakhon ke saamne clear ho gaya jise
dekhkar ek baar firse Bhuvika aur Beelzebub shocked ho gaye reason iss waqt unke
saamne darbar ke dono side me line se bohat saare angels khade the Beelzebub ko toh
ye samjh me hi nahi aa raha tha ki angels me itni himmat kaha se aa gayi ki wo sab
Asmodeus ke saamne aane ki zurrat kar bathe wahi Bhuvika situation ko samjhne ki
koshish kar rahi thi dono apne apne khayalon me khoye hi the ki unke saamne ek baar
firse teen dhuen ke gubbar se uthe aur jab wo gubbar chate toh uss jagah par teeno Gods
messenger khade the teeno messengers ne ek baar Asmodeus ki taraf dekha jo unhe hi
dekh raha tha aur fir teeno ek side me hokar khade ho gaye wahi Beelzebub pehle toh
Gods messenger ke roop me aaye iss naye jhatke se samabhalne ki koshish karne laga aur
jab wo normal hua toh

Beelzebub:- tum teeno ki itni himmat ki yaha mere father ke saamne aane ki gustaakhi
kar baithe aur saath saath apne angels ki toli bhi le aaye tumhe kya lagta hai ki ye sab
milkar bhi tumhe mere aur father ke kaha r se bacha payenge tumhe yaha aane ka dand
isse aage Beelzebub kuch bol nahi paya kyu ki isse pehle ki uski baat khatam hoti dobara
usse kuch door jahan kuch der pehle Gods messenger khade the waha par ek dhuen ki
chaadar si ban gayi aur isse pehle ki iss chiz par Beelzebub kuch react karta dhua chattne
laga jaise jaise dhua chatne laga Beelzebub aur uske saath khadi Bhuvika ki halat kharab
hone lagi dono ne turant palat kar piche dekha Asmodeus apne singhasan se khada ho
chuka tha aur uski aankhen bhi saamne hi tiki hui thi isse pehle ki un teeno me se koi kuch
kehta pure hall me ek awaaz gunj gayi kaise ho Asmodeus mere bhai ye awaaz meri thi jo
dhuen ka gubbar aakhri me utha tha usse main Avantika Ronit aur Analia hi prakat hue
the jaise hi main prakat hua saare angels aur Gods messengers ke sar jhuk gaye

Asmodeus:- Asmodeus ki duniya me swagat hai mere bhai jaise hi Asmodeus ki baat
khatam hui hum charon ke upar ek chota sa badal ban gaya aur uss badal se hum charon
ke upar phoolon ki varsha hone lagi jahan ye sab hota dekh Avantika normal thi wahi khud
ko Asmodeus ke saamne ussi ke grah ussi ke mehal me dekh Ronit hairan tha aur Analia
thodi dari hui thi wahi kuch der pehle mujhse hue saamne me hui haalat ki wajah se
Bhuvika bhi mujhe firse saamne dekh dari hui thi abhi tak naa toh uski nazar Analia par
gayi thi aur naa hi Analia ne usse dekha tha Monslickel Asmodeus ka niwas sthaan tha iski
ek khasiyat ye bhi thi ki yaha aane wale ke bare me saari baatein Asmodeus ko pata chal
jati thi aur issliye hi maine Twisted Dimension me apni aur Avantika ki waha ki yaad apne
shield ke andar rakh chhod di taaki uske bare me Asmodeus ko kuch bhi na pata chale par
Asmodeus ke mahal me kadam rakhte hi meri baaki ki baatein ya fir ye kahu ki meri saari
plannings jo maine uske khoon ke prabhav se khudko bachane aur nikalne ke liye kiya tha
wo Asmodeus ke dimag me reveal ho gaya jise jante hi
Asmodeus:- appratim kya baat hai mere bhai itne kam waqt me tumne itna kuch soch liya
tha jitna waqt mujhe laga tha tumhare liye karagaar banane ke liye tumhe toh usse bhi
kam waqt laga uss karagar ko todne ke liye

Main:- taarif toh meri bohaton ne ki hai par tumhare mouh se sunkar acha laga ab jis kaam
se aaya hun wo kar lun meri baat sunkar Asmodeus muskura utha

Main:- Bhuvika meri awaaz sunkar Bhuvika hadbada si gayi

Main:- ghabrao mat main yaha tumse hi milne aaya hun ya fir ye kahu ki tumhe kisi se
milane aaya hun meri baat Bhuvika ke palle nahi padi wo aakhon me sawal liye mujhe
dekh rahi thi

Main:- main tumhe inse milane laya hun apni baat maine Analia ke kandhe par haath rakh
kar kahi thi Analia jo abhi bhi ek tak thodi dari hui si Asmodeus ki taraf dekh rahi thi mere
uske kandhe par haath rakhte hi uski tantra tooti tantra ke tootte hi Analia ki nazar
mujhpar gayi maine usse ishare se Bhuvika ki taraf dekhne ko kaha aur jaise hi Analia ki
nazar mere point kiye hue jagah par gayi uski aankhen wahi jam gayi yahi haal Bhuvika ka
bhi tha wo ek tak Analia ko dekhe jaa rahi thi dono ki nazron ne maano ek dusre ki nazar
ko jakad sa liya tha wahi Beelzebub toh kabhi Bhuvika ko toh kabhi Analia ko dekhkar
sitiuation ko samjhne ki koshish kar raha tha Analia ko dekh kar devil banne ke baad pehli
baar aaj Bhuvika ka dil ussi maasum tarike se dhadak raha tha jaise Nishkalika ko dekhkar
dhadka karta tha Bhuvika ke dil me jo mere liye dar tha wo achanak gayab sa ho gaya tha
kuch der tak Analia ko dekhte rehne ke baad Bhuvika ke kadam uski taraf ya fir ye kahu ki
hamari taraf badh gaye Bhuvika vashibhut si hokar chalti hui hamare paas aayi aur Analia
ke saamne aakar khadi ho gayi kuch der tak ek dusre ko dekhne ke baad Bhuvika ke lab
hile

Bhuvika:- kaun ho tum?

Analia:- Analia

Main:- tumhari behan meri baat sun Analia aur Bhuvika ko jhatka sa laga jahan Analia ek
tak mujhe dekhne lagi wahi

Bhuvika:- meri behan par ye kaise sambhav hai? hamari behan toh Nishkalika

Main:- Nishkalika tumhari behan kabhi thi hi nahi Bhuvika wo ek jhoot tha jise Asmodeus
ne sach ka roop de diya tha Bhuvika ke apni baat puri karne se pehle hi maine apni baat
keh di par meri baat Bhuvika aur Analia ko lagne wala abhi tak ka sabse bada jhatka tha
dono avishwas bhari nazro se meri taraf dekhne lagi

Bhuvika:- kya bakwaas kar rahe ho maine aur Nishkalika ne ek hi maa ke kokh se janm liya
hai main Bhuvika ki baat sunkar muskura diya maine usse saari baat batane se acha usse
aur Analia ko saari haqiqat jo unke saath gahti thi wo dikhana ucchit samjha aur issliye
meri haathon se ek ray nikli jisne Bhuvika aur Analia ke sar ke beech ek bridge ka roop le
liya aisa hote hi dono ki aankhen band ho gayi aur unhe apni band aakhon ke aage saari
sachayi dikhne lagi chaliye jab tak ye dono inki saari sachayi dekh rahi hain tab tak main
aapko short me inki sachayi bata deta hun toh dosto ye kahani tab shuru hui jab
Asmodeus ne Courious grah ko shraapgrast kiya tha jaisa ki main bata chuka hun ki
Courious me bacchon ke janm white energy se hota hai waha ki mahilaon ke mature hote
hi unki kokh me white energy store ho jati hai jise bacche janm lete hain jab Courious
shraapgrast hua tab Analia apne maa ki kokh me thi par uss kokh me wo akeli nahi thi
balki uske saath ek aur bacchi bhi thi jo uske saath saath janm lene wali thi ye bacchi aur
koi nahi balki Bhuvika hi thi jaisa ki aapko pata hai ki shraapgrast hone ki sabse badi wajah
Asmodeus ki black enbergy thi jo couris ped aur har courin phal ke andar chali gayi thi uss
black energy ki wajah se Asmodeus ko ye baat pata chal gayi ki Analia ki maa ke kokh me
do white energy se bhare hue bacche pal rahe hain aur ye baat pata chalte hi Asmodeus
ek raat chupke se Analia aur Bhuvika ke maa ke saamne pahunch gaya wo abhi nidra
awastha me thi Asmodeus ne unhe neend me hi behosh kar unki kokh ke andar jo white
energy thi uska aadha bhaag nikal liya aur usse lekar chala gaya Asmodeus ne uss white
energy ko apne paas sambhal kar rakha dheere dheere waqt nikalta gaya aur fir aaya
Nishkalika ka daur Nishkalika bachpan se hi black energy ki taraf aakarshit thi aur uss ke
har chiz ko sikhne ka hunar bhi bohat zyada tha uske andar gazab ki pratibha thi wahi koi
bhi kaali shakti Asmodeus ki nazar se chhupi nahi thi Nishkalika bhi Asmodeus ki nazar me
aa chuki thi ussi waqt Nishkalika ki maa firse ek bacche ko janm dene wali thi par wo
bacchi kamzori ki wajah se uski kokh me hi marne wali thi ye baat Asmodeus ko pata chal
gayi aur tabhi uske dimag me ek idea aaya usse uss white energy ko jo usne Analia ki maa
ke kokh se nikala tha istemaal karne ka socha darasal Asmodeus janta tha ki aage chalkar
Nishkalika black energy ki ek bohat badi pratik banegi aur wo ye dekhna chahta tha ki ek
white energy ka shroth black energy ke saaye me kis direction me jata hai aur issi soch ke
saath Asmodeus ne Nishkalika ki maa ke kokh me jo ab tak mar chuki bacchi thi usse waha
se nikal liya aur uski jagah Analia ki mom ke kokh se laaye white energy ko daal diya jisne
aage chalkar Bhuvika ke roop me janm liya aapko yaad hoga doston ki devil banne se
pehle hi Bhuvika ka andar bohat zyada maatra me white energy thi wo issliye hi thi kyu ki
uska janm hi white energy ki wajah se hua tha aapko ye bhi yaad hoga ki Bhuvika waise
toh ek bohat achi ladki thi par Nishkalika ke maamle me wo kisi ki nahi sunti thi bhale hi
galti Nishkalika ki ho darasal Bhuvika ko Nishkalika se pyar nahi tha balki apni behan se
tha wo behan jo usse uske paida hone se pehle hi chhen li gayi thi aur issliye hi behan
shabd se uski bhaavnayen kuch zyada hi judi hui thi aur kyu ki samaksh me Nishkalika hi
uski behan thi issliye wo ussiko apna sab kuch maanti thi saari sachayi jante hi Bhuvika
aur Analia ki aakhen khul gayi dono ki nazre jaise hi ek dusre se milidono bhaavuk ho gayi
aur jhat se ek dusre ke gale lag gayi kuch der tak ek dusre ke gale lagne ke baad Bhuvika
ko Asmodeus ka chhal jab yaad aaya toh wo turant uski taraf palti

Bhuvika:- koi itna bhi gira hua kaise ho sakta hai?

Beelzebub:- Bhuvika apni zubaan ko lagam do janti bhi ho ki tum kisse baat kar rahi ho?

Main:- kya tum jante ho ki tum kiske saamne baat kar rahe ho? Beelzebub ki baat sun jab
maine apni baat kahi toh ek pal ke liye uski zubaan band hui par fir jab usse ehsaas hua ki
uske father uske saath khade hain toh uski himmat wapas aa gayi Beelzebub mujhse kuch
kehne hi wala tha ki

Main:- agar halak se awaaz nikli toh halak aur awaaz dono ko hamesha ke liye alag kar
dunga maine apni baat Beelzebub ko ghurkar kahi jise uski baat uske andar hi reh gayi

Asmodeus:- pehli baar mere ghar aaye ho gale nahi lagoge achanak se ek ajeebo garib
baat jo ki sirf Asmodeus hi keh sakta tha usne mujhse kahi Asmodeus ki baat sunkar main
muskura diya

Main:- pehli baar tumne kuch maanga hai mana kaise kar sakta hun ye bol main aage
badha mere saath saath hi Asmodeus bhi aage badha aur agle hi pal hum dono ek dusre
ke gale lag chuke the hume gale lagta dekh waha moujud sabhi ke mouh khul gaye the
par fir bhi sab chup chaap iss ajeeb sangam aur mel ko dekh rahe the kuch der tak gale
lagne ke baad jab hum alag hue toh

Asmodeus:- kaash tumhari soch mere jaisi hoti

Main:- kaash tumhara sach mere jaisa hota Planet: Earth

Place: Forest

lord aapka hum jitna bhi dhayanwaad kare wo kam hoga pehle aapne hamare grah me
aakar hume hamare shraap se mukt karaya aur aaj aapne hume hamari behan se mila
diya ye bolkar Analia mere aage jhukne lagi par maine usse aisa karne se rok diya
Asmodeus se gale lagne ke baad main apne doston ko aur Bhuvika ko lekar waha se
gaayab ho gaya mere gaayab hote hi mere saare angels bhi gaayab ho gaye wahi main
gaayab hokar Mumbai se bahar ek chote se jungle me pahuncha yaha pahunchte hi Analia
dobara apni behan ke gale lag gayi kuch der tak gale lage rehne ke baad jab dono alag hue
toh Analia ne apni baat kahi

Main:- tum dono ke saath jo hua wo puri tarah anaitik tha aur ek galat chiz ko sahi karna
hi mera kaam bhi hai aur kartavya bhi iske liye dhanyawaad kaisa?

Avantika:- waise ab tumhare mann ki bhaavnaao ka kya haal hai? kya ab bhi Vj ke saamne
tumhe apni bhaavnaao me prabalta lag rahi hai? Avantika ke sawal se Analia ka dhayan
apne un strong feelings ki taraf gaya jo ab uske andar bilkul nahi thi aur iss baat ka bodh
hote hi wo shocked ho gayi

Analia:- arre haan iss taraf toh hamara dhayan hi nahi gaya ab lord ke saamne hone par
bhi hamari bhaavnyae saamanya hain par hume ye samjh nahi aa raha hai ki achanak ye
parivartan kaise aa gaya?

Main:- wo issliye kyu ki tumhare andar jo mere liye prabal icchayen thi wo tumhari behan
ki wajah se thi tumhari bhaavnaye Bhuvika se judi hui hain aur kuch der pehle tak Bhuvika
ke andar mere liye bohat nafrat thi infact main iss bramhaand me akela aisa shaksh hun
jise wo nafrat karti thi par kyu ki tum ek white energy ki shroth ho issliye uski bhaavnaye
tumpar pura asar nahi kar payi par phir bhi uski meri prati nakaratmak soch ki wajah se
tumhare andar bhi mujhe dekh kar ek prabal bhawna ne janm le liya aisi bhaavna jo naa
nakaratmak thi aur naahi sakaratmak par phir bhi prabal thi

Avantika:- aur issliye hi Vj ne tumhare andar aakarshan ke bhaavna paida ki kyu ki agar Vj
aisa nahi karta toh tumhari uske prati bhaavnaaye waqt ke saath aur prabal ho jati aur
tum uss bhaavna ko samjh bhi nahi paati aur un haalaton me tum chain se ji nahi paati
par Vj dwara tumhare andar chhode aakarshan ki wajah se tumhari baavnaayon ko ek
naam mil gaya pyar aur aisa hote hi tumhare andar ek thairav aa gaya aur tum shaant ho
gayi par ussi nakli bhaavna ki wajah se jise Vj ne tumhare andar daala tha tumhe uske
paas yaha dharti par kheench laayi jise tumhara aur tumhari behan ka milan ho gaya aur
ab kyu ki tumhari behan ke mann Vj me prati koi galat bhavna nahi hai issliye tumhare
mann ki prabal bhavnayen bhi khatam ho gayi hai

Analia:- lord hum aapka ye upkaar zindagi bhar nahi bhulenge


Main:- har dus minute me koi na koi wajah dekar tu dhanyawaad dhanyawaad bolti rehti
hai

yaar ek kaam kar tere dhanyawaad ka jitna bhi kota bacha hua hai wo abhi ek saath bol
kar khatam kar de meri baat sun jahan Avantika aur Analia ke chehre par muskurahat aa
gayi wahi to chehre aise bhi the jinme do alag alag bhaav the Ronit aur Bhuvika jahan
Bhuvika ke chehre par pachtaave aatma glaani aur sharm ke bhaav the wahi Ronit ke
chehre par ghussa saaf dikh raha tha aur Ronit ke issi ghusse ki wajah se main sabko yaha
Mumbai se thoda bahar ek chote se jungle me lekar aaya tha main janta tha ki jo ghusse
ka lava Ronit ke dil me ufaan maar raha hai wo kabhi bhi fat sakta hai aur aise me hamara
kisi public place me ya fir hamare ghar par hona thek nahi hai jahan Analia iss waqt apne
hi khushi me magan thi wahi Ronit ke ghusse se Avantika aur uske saath saath Bhuvika
bhi waakif thi Bhuvika ne kayi baar Ronit ki taraf dekha tha aur har baar uske chehre par
khudke liye beshumaar ghussa aur nafrat dikhi thi wo achi tarah janti thi ki usne jo Ronit
ke saath kiya hai uske liye wo usse kabhi maaf nahi karega iss waqt bhi Bhuvika ke andar
ek devil ka ansh moujud the par apni behan se milne ke baad uske andar ki nakaratmakta
jaise kamzor si padh gayi thi Analia ke roop me usse uski asli behan mil gayi thi jiske wajah
se uske andar moujud white energy uske andar ki black energy par bhaari padh rahi thi jo
hua ya fir ye kahu ki Bhuvika ne jo kiya wo usse badal toh nahi sakti thi par apne kiye ki
maafi toh wo hum sab se aur sabse zyada aur pehle Ronit se toh maang hi sakti thi issliye

Bhuvika:- Ronit chataakkk jaise hi Bhuvika ne Ronit kaha Ronit tezi se aage badha aur
second ke duswe hisse se bhi kam time me uska haath ghuma jo Bhuvika ke gaalon se
takraya Ronit ke mukable Bhuvika me gayi guna zyada shakti thi issi wajah se Ronit ke
thappad ka uspar koi zyada asar nahi hua wo bas halka sa piche hath gayi par apni behan
ko yun thappad khaata dekh Analia Ronit ka naam lekar chillayi

Analia:- aap hamari behan par haath kaise utha sakte hain Ronit? Analia turant apne
behan ke paas pahunchi aur uske gaal ko jispar Ronit ne tamacha maara tha sehlate hue
boli

Ronit:- taklif hui wo bhi uss rishte ke liye jiske bare me tumhe abhi abhi pata chala hai toh
socho mujhe kitni taklif huyi hogi jab isne mere bachpan ke pyar ko maar daala Ronit ne
cheekhte hue apni baat kahi ye sab bolte waqt Ronit ki aakhon me itna dard tha itna
ghussa tha jise dekhkar ek taraf Analia ko dar lagne laga wahi Bhuvika ka sar ek baar firse
sharm se jhuk gaya
Analia:- aapko toh pata hai Ronit ji ki Bhuvika ne jo bhi kiya usme inka haath hokar bhi
nahi tha ye toh behan prem ke vash me aakar wo sab kar baithi wo prem jo ye mujhse
karti thi kintu Asmodeus ki wajah se unhe wo ehsaas kisi aur ke liye lagne laga tha

Ronit:- waah kya tark diya hai tumne Analia behan prem me aakar ye ek aisi ladki ka badla
lene nikli jo kahi se bhi sahi nahi thi jisne khud najane kitne hi bekasoor logon ki jane li hai
janta hun ki iska dil behan shabd se jude hone ki wajah se sirf uski taraf hi jhukta tha par
dil ke saath saath bhagwan ne hum sabko dimag naam ki bhi toh cheez di hai naa ussi
dimag ka istemaal kar ye sahi aur galat ke beech ka fark tak nahi samjh payi? isne koi galti
nahi ki hai balki paap kiya hai aur maafi galti ki milti hai paap ki nahi aur iske paap ki saza
aaj main isse de kar rahunga

Bhuvika:- Ronit par iisse aage Bhuvika kuch keh nahi payi kyu ki apni baat khatam kar
Ronit tezi se aage badha aur iss baar usne Bhuvika ke chehre par ek kick jad di jise ek baar
firse Bhuvika ladkhadate hue thoda peeche ho gayi apni behan ko bachane ke liye Analia
aage badhi par Ronit ne usse uske haath se pakad piche dhakel diya Analia tezi se piche ki
taraf girne ko hui par isse pehle ki wo girti Avantika ne usse pakad liya wahi jaise hi Ronit
ne Analia ko dhakka diya Bhuvika ko ghussa aa gaya aur usne Ronit ko maarne ke liye apna
haath uthaya par uske haath hile bhi nahi pehle toh usse iska kaaran samjh me nahi aaya
par jab usne meri taraf dekha toh

Main:- sochna bhi nahi meri baat sun Bhuvika ka Ronit par jo ghussa aaya tha wo khatam
sa ho gaya par Ronit ka ghussa toh pal pal badhta hi jaa raha tha usne ek ke baad ek kayi
sare punches Bhuvika ko maare Bhuvika bhi chup chaap un punches ko khaati rahi par ek
baat thi ki Bhuvika par Ronit ke punche ka kuch khaas asar nahi ho raha tha wahi apni
behan ko yun maarta khata dekh Analia se sehen nahi hua issliye

Analia:- lord apne friend ko rokiye naa wo hamari behan ko maar dega

Main:- iss waqt Ronit bohat ghusse me hai jab tak ye ghussa uske andar hai kuch bhi karna
theek nahi hoga

Analia:- toh kya jab tak Ronit ji ka ghussa shaant nahi ho jata hamari behan yunhi maar
khaati rahe

Main:- tumhari behan ne jo kaam kiye hain uske liye toh Ronit se pehle mujhe hi usse
maar dena chahiye tha par wo zinda hai kyu ki usne jo kiya hai wo kahi na kahi usse
karwaya gaya hai uski kismat ko uske janm se pehle hi badal diya gaya tha issliye main
shaant hun par Ronit ke saath jo usne kiya haiuske liye usse dand milna chahiye ya nahi
iska faisla Ronit karega main nahi yaha hum baat kar rahe the waha Ronit laga hua tha
Bhuvika ko maarne me par ab usse bhi samjh me aane laga tha ki uske waar se ya punches
aur kicks se Bhuvika ko zyada fark nahi padega issliye

Ronit:- Vjj meri taraf dekh Ronit ne bas mera naam hi liya par mujhe pata tha ki usse kya
chahiye issliye mere sharir se meri shakti ke ek chota sa bhaag bahar nikla aur usne Ronit
ke sharir ko bina chhue usse charon taraf se gher liya aisa hone ke baad maine Ronit ko
dekh haan me apna sar hilaya jiska matlab wo samjh gaya aur agle hi pal ahhh ahhh abki
baar Ronit ne jitni baar bhi Bhuvika ko punches ya kicks maare un sab ka Bhuvika par
bohat zyada prabhav pada kuch hi seconds me Bhuvika ke honth fat chuke the maathe se
khoon nikalne laga tha pair halke mood se gaye the haath jhool se gaye the

Analia:- Bhuvikaaa Analia ki iss cheekh ki wajah ye thi ki Bhuvika dard aur thakan ki wajah
se apne ghutno ke bal baithne hi wali thi ki Ronit ka pair zor se ghuma aur uske jabde se
takraya jiske fal swaroop Bhuvika ghoomti hui neeche zamin par gir gayi Bhuvika ke girte
hi Analia ki cheekh nikal gayi wo apni behan ke paas jane ki liye tadap rahi thi par Avantika
ne uska haath nahi chhoda Ronit abhi jis mood me tha uss mood me wo Analia ko bhi
nuksaan pahuncha sakta tha issliye Avantika ne use jane nahi diya wahi niche girne ke
baad Bhuvika ne apni bojhil aankhon se ek baar Ronit ko dekha aur kuch kehne ke liye
uske lab hilne hi wale the ki svati prakatam sword appear ye spell Ronit ne bola tha spell
ke bolte hi Ronit ke haathon me ek talwar chamak uthi jise dekhkar jahan Analia ka dar
saatve aasman par pahunch gaya wahi Bhuvika ko lag gaya ki uska antim samay aa gaya
hai Ronit ne apna talwar wala haath upar uthaya aur khach Bhuvika aaaa jaise hi Ronit ne
apni talwar chalayi toh ek awaaz hui jise sunkar Analia ki cheekh nikal gayi usne ek zor ka
jhatka dekar apna haath Avantika ke haath se chhuda liya aur apni behan ke paas bhaagi
apne behan ke paas jaate hi jahan uske aankhon ke aansu tez ho gaye wahi do aankhon
me hairat ke bhaav the ye do aankhen aur kisi ki nahi Bhuvika ki thi jo aankh faade kabhi
Ronit ko dekhti toh kabhi apne baaju me zamin me dhase talwar ko Analia ke bhi jo aansu
nikal rahe the wo khushi ke the apni behan ko zinda dekhne ki khushi wahi talwar zamin
me aadhe se zyada dhasane ke baad

Ronit:- aaaa Ronit Aakash ki taraf dekh kar zor se cheekha uski cheekh me majboori aur
dard dono saaf samjh aa rahe the wahi Ronit ko Bhuvika ko jaan se naa maarta dekh mere
aur Avantika ke chehre par ek muskaan naach gayi aaj mujhe mere friend par garv ho raha
tha aaj uski wajah se insaaniyat aur achayi fir jeet gayi thi main aur Avantika chalte hue
Ronit ke paas pahunche aur maine jaise hi uske kandhe par haath lagaya wo jhat se mere
gale lag kar rone laga maine bhi usse chup nahi karaya aur kuch der rone diya meri
shaktiyan jiisne Ronit ko ghera hua tha wo wapas mujhme sama gayi thi wahi apni behan
ka sahara lete hue Bhuvika dheere dheere khadi ho chuki thi uski aankhon me abhi tak
awishwas jhalak raha tha wo samjh nahi paa rahi thi ki aakhir Ronit ne usse zinda kyu
chhod diya kuch der tak mujhse gale lag rote rehne ke baad jab Ronit mujhse alag hua aur
jaise hi uski nazar Bhuvika ki taraf gayi toh

Bhuvika:- tumne mujhe zinda kyu chhod diya maine tumhare saath jo kiya hai uske baad
toh mujhe waise bhi jeena ka koi hak nahi hai

Ronit:- yahi tum galat ho Bhuvika kisi ko maarna ya naa maarna iska faisla karne wale hum
koi nahi hote jab zindagi uss upar wale ne di haitu lene ka adhikar bhi sirf ussi ka hai par
tum jaise kuch murkh iss baat ko andekha kar khud hi dusro ke jeeven ka faisla lene lagte
ho itna bhi nahi sochte ki tum jaan ek ki lete hopar uske saath saath mar bohat se log jaate
hain jise tumhare jaise paapi maarte hainuski saanson ke saath saath uske apno ki bhi
saanse ruk jati hai aaj agar main tumhe maar deta toh mujh me aur tumme kya fark reh
jata tum toh mar jati par tumhari behan zindagi bhar tumhari yaad me roti rehti jo mere
saath hua hai jis dard ke saath main ji raha hun wahi dard main kisi aur ko kaise de sakta
hun par haan ye bhi sach hai ki main Anjali se jitna pyar karta hun tumse utni hi nafrat
karta hun aur hamesha karta rahunga Ronit ki baatein Bhuvika ke dimag me kisi hathode
ki tarah baj rahi thi Ronit ne agar usse maar diya hota toh usse itni taklif nahi hoti jitni
usse abhi mehsoos ho rahi thi ek aur chiz thi jo Bhuvika ko mehsoos ho rahi thi jise wo
lagatar andar hi andar zabt kiye jaa rahi thi aur wo tha dard jo usse khudke andar chuupa
devil ya ye kahu ki uske andar moujud black energy de raha tha Ronit se maar khaate waqt
najane kitni hi baar Bhuvika ke andar moujud devil ne usse Ronit ko palatwaar karne ko
kaha par Bhuvika ne uski baat nahi maani aur chup chaap maar khaati rahi uske andar
moujud white energy usse khud ko sayammit karne me madad kar rahi thi aur issi wajah
se Bhuvika ke andar moujud black energy aur white energy ke beech ek kism ka yudh
shuru ho gaya jiski wajah se Bhuvika ko iss waqt bohat zyada dard mehsoos ho raha tha
Bhuvika ke dard se main bhi anjaan nahi tha aur ye jaankar mujhe bohat khushi ho rahi
thi ki Bhuvika khud ke upar apne andar moujud shaitan ko haavi nahi ho ne de rahi hai
mujhe ye bhi pata tha ki jo dard uske dil me uth raha hai uss dard ke saamne uske sharir
me uth raha dard kuch bhi nahi tha usse pata tha ki ye ghinouna ehsaas jo usse khudke
liye mehsoos ho raha hai wo shayad kabhi nahi jayega Bhuvika ne ek baar Ronit ki taraf
dekha aur fir meri taraf mujhe kuch der tak dekhne ke baad Bhuvika ke lab hile

Bhuvika:- lord bhale hi Ronit ne mujhe jeevit chhod diya ho par maine jo kiya hai uske
baad mujhe jeene ka koi hak nahi hai mujhe khudse ghrina si ho rahi hai ye zindagi mere
liye mout se bhi badtar hai main iss layak toh nahi par meri aapse ek praarthana hai ek
nivedan hai

Main:- main sun raha hun bolo

Bhuvika:- mujhe mrityu de dijiye mujhe iss shraapit jeeven se mukti de dijiye jahan
Bhuvika ki baat sunkar mere chehre par smile aa gayi wahi

Analia:- Bhuvika aap ye kya bol rahi hain?

Bhuvika:- wahi jo sach hai wahi jo hona chahiye main janti hun ki tumhe meri baat bilkul
acchi nahi lagi par ek baar bas ek baar meri behan ke nazariye se bahar nikalkar khud se
ye sawal karo ki maine jo kritya kiye hain uske baad kya mujhe jeene ka koi hak hai? bilkul
nahi hum toh Courious wale hain Analiawhite energy ke pratik wo energy jo hume
swayam parmeshwar se milti hai anjane me hi sahi par black energy ko apnakar maine
pehle hi ek bohat bada paap kar liya hai aur fir dushkarmi bankar maine uss paap ka bhaar
aur badha liya hai ab iss paap se mukti ka sirf ek hi upaay hai aur wo hai maut Analia apni
behan se bohat kuch kehna chahti thi par wo keh naa payi wo janti thi ki kahi na kahi
Bhuvika sach hi keh rahi hai Analia ye bhi samjh rahi thi Bhuvika ki aatm glaani itni zyada
hai ki ye zindagi uske liye mout se bhi badtar hai par ussi samay par wo apni behan se
door bhi nahi hona chahti thi aur agle hi pal dono behane meri taraf dekhne lagi ek ke
aankhon me nivendan tha toh dusre ki aankhon me laachari aur ek iltaja ki main uski
laachari ko naa sirf samjhu par usse door bhi karun wahi main toh muskurate hue hi dono
behano ko dekh raha tha unki baaton ko sun raha tha aur jab dono ki baateintark vitark
khatam hua aur dono ki nazar mujhpar gayi toh

Main:- Bhuvikanaa main tumhare dil me uth rahe glani ke dard se anjaan hun aur naahi
tumhare sharir me uth rahe b black energy ke dard se Ronit jab tumhe maar raha thatab
bhi tumne khudke andar uth rahe shaitan ke ufaan ko daba kar rakhatumhare paschatap
aur uske ehsaas me kaha gaya har shabd sacha hai aur ek black energy ka dhaarak ke
mann main aisi bhaavna ka hona bohat badi baat hai meri baaton ko Bhuvika dhayan se
sun rahi thi aur beetate pal ke saath usse ascharya bhi ho raha tha aur wo issliye kyu ki
jabse maine bolna shuru kiya thatabse uske sharir me uth raha aseem dard kam hone laga
tha meri baaton se naa sirf uske sharir ke dard se raahat mil rahi thi balki uske dil ka
darduski glaani bhi usse kam hoti mehsoos ho rahi thi

Main:- tum marna chati ho par tumhe ye toh maalum hi hai naa ki iss waqt tumhara sharir
ke andar jo black energy haiuski wajah se tum bhi ek devil ki shreni me hi aati ho Bhuvika
ne mere sawal par haan me apna sar hilaya
Main:- toh tumhe ye bhi pata hoga ki jab ek devil marta haitoh sirf uska sharir hi khatam
nahi hota balki uski aatma tak dum tod deti hai dum todte hi wo aatma anant kaal ke liye
ek dard bhare andhere me goom ho jati hai jisme usse roshni kabhi naseeb nahi hoti jahan
Bhuvika ne ek feeki muskaan ke saath firse haan me apna sir hilaya wahi Analia mere
dwara batayi gayi baat ko sunkar apni behan ke liye dar gayi wo kuch kehne hi wali thi ki
maine apna haath aage kar ke usse bolne se rok diya

Main:- Analia tum Bhuvika ki niyati ko badal nahi sakti iske saath jo hona hai wo har haal
me hokar hi rahega jahan meri baat sunkar Analia bohat zyada nirash ho gayi wahi pehli
baar Bhuvika ke chehre par santushti ke bhaaVjaage the

Main:- waise toh aaj tak kisi devil ko ye mouka nahi mila hai par main tumhe ye mouka
deta hun

Bhuvika:- kaisa mouka?

Main:- uss andhkar ko jisme tumhari aatma sadaiv ke liye kaid hogiusse marne se pehle
hi mehsoos karne ka aur isse pehle ki mere baat ka matlab Bhuvika samjhti ya koi
pratikriya detimere haath uski taraf uth gaye aur aisa hone ke agle pal hi dhamm iss awaaz
ke saath Bhuvika ka sharir neeche zamin par gir gaya apni behan ko yun achanak girta hua
dekh Analia bohat ghabra gayi aur wo bhi turant Bhuvika ke paas baith gayi behan ko
chhute hi Analia ko ek jhatka laga aur wo issliye kyu ki iss waqt Bhuvika ka sharir ekdum
thanda tha jaise ek murde ka hota hai usne turant Bhuvika ke sar ko apni godh me le liya
aur usse uthane ki koshih karne lagi par koi fayeda nahi hua darte darte Analia ne mujhe
dekha par mujhse kuch puchne ki uski himmat nahi hui Avantika aur Ronit bhi samjhne ki
koshish kar rahe the ki ye achanak mere haath aage karne ke baad Bhuvika ko kya hua?
wo gir kyu gayi? par unhone mujhse kuch nahi pucha dono hi jante the ki jo bhi hua hai
wo kuch hi der me khud hi disclose ho jayega toh hua ye tha ki mere haath aage karte hi
Bhuvika ke sharir se uski spirit ya fir ye kahu ki uski spirit ka black part jo ki devil ka tha wo
kheenchate hue bahar aa gaya aur bahar aate hi maine usse ussi andhakar me bhej diya
jisme marne ke baad har devil ka soul jata tha par yun achanak Bhuvika ke andar se uski
spirit ke nakaratmak ya fir ye kahu ki devil ke part ke nikalne ki wajah se Bhuvika ka jism
bohat zyada kamzor ho gaya itna hi nahi uske dimag ko bhi ek zor ka jhatka laga jiski wajah
se wo bhi deactive ho gaya aur natija Bhuvika ek mout si behoshi me chali gayi thi

Analia:- lord kya meri behan mujhe chhodkar chali gayi? bohat der ke baad Analia ke
mouh se bas itni hi baat nikal payi

Main:- nahi meri baat sunte hi Analia ki aankhon me ek chamak aa gayi


Analia:- toh fir iska sharir itna thanda kyu padh gaya hai?

Main:- iske andar ke devil ko maine jis duniya me bheja hai waha pahunchne ke baad bhi
wo abhi tak isse kuch hadh tak juda hua hai wo waha se wapas aana chahta hai ya fir isse
bhi apne saath uss duniya me lejana chahta hai kamzor hi sahi par uski pakad ki wajah se
iska sharir kisi mare hue insaan ki tarah thanda hai

Analia:- toh kya meri behan uss andhakar wali duniya me chali jayegi maine kuch nahi
kaha bas apna haath aage kar diya aur agle hi pal Bhuvika ke sharir ke andar ka hissa
dikhne laga jise dekhkar sab shocked ho gaye darasal Bhuvika ke andar jo Courious ki
white energy thi jise uske devil wale roop ne kaid kar liya tha wo ab azaad ho chuki thi aur
dheere dheere Bhuvika ke saare sharir me fail rahi thi

Analia:- ye sab kya hai?

Main:- ye wahi energy hai jo tumhare sharir me har waqt ghumti rehti hai wahi energy
jise tum Courious waasiyon ka janm hota hai ye energy Bhuvika ke andar kaid ho gayi thi
jo ab azaad ho gayi hai aur uske sharir me faile rahi hai jaise hi ye energy uske pure sharir
me failegi usse hosh aa jayega meri baat sunkar Analia ki khushi ka thekana na raha wo
besabri se apni behan ke uthne ka intezar karne lagi kuch der laga jaise hi white energy
ne Bhuvika ke saare sharir ko ghera uski aankhen dheere dheere khul gayi aankh khulte
hi Bhuvika ki nazar sabse pehle apni behan par gayi jise dekhkar uske chehre par muskaan
aa gayi apni behan ko hosh me aata dekh Analia jhat se jhuk kar apni bahen ke gale lag
gayi kuch der tak gale lage rehne ke baad jab dono alag hue toh Bhuvika ki nazar mujhpar
gayi iss waqt uske chere par mere liye abhaar ke bhaav the kuch der tak yunhi letne ke
baad Bhuvika ne jaise hi uthne ki koshish ki ahhh ek dard bhari karah uske gale se nikal
gayi jise sunkar Analia ghabra gayi

Analia:- kya hua Bhuvika?

Bhuvika:- pata nahi par mere pairon me mujhe taakat mehsoos hi nahi ho rahi pairon me
hi kya mujhe apne sharir me kahi bhi koi shakti mehsoos nahi ho rahi

Analia:- abhi abhi tum thek hui ho naa issliye dekhna kuch hi der me tum puri theek ho
jaaogi

Main:- nahi Bhuvika kabhi theek nahi ho sakti isse pehle ki Bhuvika kuch kehti meri awaaz
sabke kaano me padi jise sunkar sabhi shocked ho gaye
Analia:- kabhi theek nahi ho sakti? par kyu lord? aapne toh iske andar ki black energy nikal
di hai naa? toh ab kya pareshaani hai?

Main:- wahi toh pareshaani hai black energy toh nikal gayi par apne saath Bhuvika ki
sharirik shatki bhi saath le gayi itna hi nahi black energy ke pure nikalne jane ki wajah se
Bhuvika ka hriday aur mastishk bhi kamzor ho gaye hain jiski wajah se kabhi bhi iski mrityu
ho sakti hai meri baat sunkar Analia ghabra gayi wo kuch kehti usse pehle hi

Bhuvika:- par lord black energy toh mere andar kuch hi samay pehle samayi thi usse pehle
toh aisa kuch nahi tha fir bhi main puri tarah se swastha thi

Main:- manushya yoni me paida hone wale har insaan ke andar janm lete hi black aur
white energy ke kan usme sama jaate hain sirf Courious hi ek aisa grah hai jahan ke
insaano me koi black energy nahi hoti

Analia:- par lord meri behan bhi toh Courious waasi hai naa

Main:- puri nahi aadhi garbh me aane ke waqt bhale hi Bhuvika Courious me thi par uska
janm Gluto me hua tha Analia aur Bhuvika ki maa ke garbh ke andar jo white energy thi
Asmodeus ke usse bahar nikalne ki wajah se uss energy ke kuch kan garbh me hi reh gaye
aur issi wajah se Bhuvika ki aantarik shakti bhi thek se panap nahi payi aur issi wajah se
apni behan ke maamle me wo sahi aur galat ka fark nahi kar paati thi white energy ke jitne
kano ne Bhuvika ke roop me janm liyawo usse zinda rakhne ke liye kafi nahi the par kyu
ki Bhuvika ka janm Gluto me hua jahan black energy bhi payi jati thi issliye Bhuvika ki
white energy ke saath waha ki black enegry bhi mil gayi jiski wajah se Bhuvika na sirf bach
gayi balki tandarust bhi nikli par abhi jab maine Bhuvika ke andar ke devil aur uski black
energy ko nikalatoh uss black energy ne Bhuvika ke janm ke samay usse mile black energy
ko bhi apne saath sath kheench liya aur issliye Bhuvika ki aisi haalat ho gayi

Analia:- toh aap meri behan ko theek kar dijiye naa lord uske sharir me white energy ke
kuch kan daal dijiye

Main:- main aisa nahi kar sakta mere aisa karte hi Bhuvika ki turant mout ho jayegi

Analia:- par kyu lord? aapki hi urja toh mere aur hum sab Courious waasiyon ke andar beh
rahi hai jab hume aap apni urja de sakte hain toh Bhuvika ko kyu nahi

Main:- tumhe ye yaad raha ki maine tumhe apni urja dipar ye yaad nahi raha ki mujhe aisa
kyu karna pada tha? shraap ki wajah se tum sabke andar ki white energy khatam ho chuki
thi tum sabke andar sirf black energy hi bachi thi jise maine apni urja se apni white energy
se hataya tha par tumhare behan ke andar pehle se white energy hai wo energy jo usse
uske janm lene se pehle hi prapt hui thi itne saalon se Bhuvika ke sharir ko itni hi white
energy ki aadat ho gayi hai isse zyada agar koi urja uske sharir me sama sakti hai toh wo
sirf black energy hai agar maine apni urja ka halka sa bhi kan uske andar daala toh uska
sharir ussi waqt fat jayega

Avantika:- toh ab?

Main:- ab kuch nahi agar Bhuvika kahe toh main uske sharir me wapas kuch maatra me
black energy daal sakta hun isse wo pehle jaisi ho jayegi isse pehle ki koi kuch kehta

Bhuvika:- nahi main marna pasand karungi par dobara black energy ke kan ko chhuna tak
mujhe gawara nahi

Analia:- par Bhuvika aise toh tum jeevit nahi reh paaogi Analia ne rote hue apni baat kahi

Bhuvika:- ro mat meri behan mar toh main ussi waqt gayi thi jab maine andhere ke raaste
ko chuna tha mujhe toh iss baat ki khushi hai ki main paak saaf hone ke baad apni aankhen
hamesha ke liye band karne wali hun lord aaj aapne mere upar itne ehsaan kiye hai jise
main agle 7 janmo tak bhi chuka nahi paaungi bas ek khwashish bach gayi hai aur wo ye
ki meri mout aapke haathon ho isse meri aatma ko moksh mil jayega jahan Bhuvika ki
baat sunkar Analia aur uske saath sath Avantika aur yaha tak ki Ronit tak ko bura laga wahi
mere chehre par muskaan naach gayi

Analia:- kya hamari behan ko bachane ka koi tarika nahi?

Main:- issliye main hamesha kehta hun ki baaton ko dhayan se sunna chahiye har baat
apne aap me ek paheli hai jise suljhate hi hamare saare pareshaniyon ka hal mil sakta hai
kisi ko bhi meri baat samjh nahi aayisabhi aanhon me sawal liye mujhe dekh rahe the par
meri baaton se sabhi ke mann main ek ummid ki kiran jagi khaas kar Analia ke mann main
aur issliye

Analia:- kya hamari behan thek ho sakti hai?

Main:- haan bhi aur nahi bhi kisi ko bhi meri baat ka matlab samjh nahi aaya?

Analia:- hum samjhe nahi

Main:- pehle ye batao ki maine Bhuvika ke andar jo white energy ki kami hai uska kya
kaaran bataya tha?
Bhuvika:- yahi ki Asmodeus ne mujhe lejane ke liye jo garbh se white energy nikali thi us
energy ke kuch kan jo ki mere sharir ke liye thewo garbh me hi reh gaye the

Main:- hmm ab ye batao ki agar tumhare hisse ki white energy garbh me hi reh gayi thi
toh fir wo gayi kahan? aur ab wo kaha hai? kuch der tak sochne ek baad sabhi ke mouh
se ek saath nikla

Sab:- Analia

Analia:- haan wo kan toh mujhme sama gaya hoga par mujhe iss baat ka kabhi aabhas
nahi hua?

Main:- paani me paani milane se paani ko fark nahi padta Analia jis tarah Bhuvika ke sharir
ko kam white energy ki aadat ho gayi hai ussi tarah tumhare sharir ko bhi zyada white
energy ki aadat ho gayi hai pure Courious waasiyon me ek tum hi ho jiske andar meri urja
sabse zyada hai aur issliye mere sapno me aane ke liye God ne pure Courious me sirf
tumhe hi chuna tha

Analia:- oh par isse hamari behan ka kya sambandh?

Main:- sambhandh hai bhale hi tumhe tumhare andar moujud aawashaykta se adhik urja
se laabh nahi hua hai par tumhari behan ko ho sakta hai

Analia:- matlab hume jo alag se urja mili hai usse bahar nikalkar Bhuvika ko diya jaa sakta
hai

Main:- urja koi dukaan me milne wala saman nahi jo kisi ko bhi uthakar de diya jaye aur
waise bhi maine bataya tha naa ki Bhuvika ke sharir me aur white energy ko nahi daala
jaa sakta

Analia:- fir hamari behan hamari urja se kaise thek ho sakti hai?

Main:- maine kab kaha ki wo thek ho sakti hai par haan usse tumhari atyadhik urja se
laabh mil sakta hai

Sab:- kaise?

Main:- Bhuvika ko apne asli swaroop me loutna hoga iss baar bhi kisi ko meri baat ka
matlab samjh me nahi aaya par isse pehle ki koi kuch puchta

Main:- Bhuvika ka ya fir kisi bhi Courious waasi ka asli swaroop white enrgy hota hai jo
uske janm se pehle uska asli roop hota hai aur marne ke samay bhi har Courious waasi
ussi white energy ke roop me badal jata hai Bhuvika ko bhi apne iss sharirik roop ko tyag
apne asli roop white energy me badalna hoga jahan meri baat sunkar Bhuvika ke chehre
par santosh tha wahi Analia firse udaas ho gayi

Analia:- matlab toh wahi hua naa kisi bhi tarah se bhi par Bhuvika ko marna toh pada hi
naa

Main:- nahi jab tak tum ho Bhuvika nahi mar sakti tum dono ki mout ek saath hogi jisme
abhi kafi samay hai

Analia:- matlab?

Main:- tumhare andar moujud alag se jo urja hai wo asal me tumhari behan ka nivaas
sthaan hai white energy me badalne ka baad Bhuvika tumhare andar sama jayegi jab aisa
hoga toh tumhare andar moujud Bhuvika ki urja usse mil jayegi aisa hote hi Bhuvika
hamesha ke liye tumhare saath tumhare sharir ke andar reh sakegi tum usse hamesha
mehsoos kar paaogi jaisa abhi kar paa rahi ho itna hi nahi tum usse baat bhi kar sakogi aur
zaroorat padhne par ek spirit ka roop lekar Bhuvika kuch der ke liye tumse bahar bhi aa
sakti hai jise tumhe apni behan ko dekhne ki iccha bhi puri hoti rahegi meri baat sunkar
Analia aur Bhuvika ki khushi ka thekana nahi raha dono ke sar mere samman me mere
aage jhuk gaye Avantika aur Ronit bhi meri baat sunkar khush ho gaye the

Bhuvika:- aapne toh mere shrap ko vardaan me badal diya lord ab mujhe aur meri behan
ko koi bhi juda nahi kar payega

Analia:- aapka koti koti dhanyawad lord

Main:- tayar ho Bhuvika

Bhuvika:- ji par use pehle Ronit main iss kabil toh nahi par mujhe intezar raehga tumhari
maafi kaa ye bol Bhuvika ne apni aakhen band ki aur agle hi pal uska shairir white energy
me badal gaya aur hawa me uth Analia ke seene ke saamne aakar ruk gaya ek second
rukne ke baad Bhuvika ki energy Analia ke sharir ke andar pravesh kar gayi aisa hote
samay Analia ki aankhen band ho gayi Analia ke andar jaate hi Bhuvika ki energy uske
baaki ke energy ke saath mil gayi aur aisa hote hi Bhuvika Analia ke saath hamesha
hamesha ke liye jud gayi

Bhuvika:- iss naye ghar ke liye dhanyawaad behan ye awaaz Analia ke andar se aayi thi
jise sunkar Analia ke chehre par muskaan naach gayi Analia ki aankhen abhi bhi band thi
apni behan ko apne andar ache se mehsoos kar jaise hi Analia ne apni aakhen kholi wo
shocked reh gayi reason iss waqt wo earth me nahi balki apne grah Courious me thi wo
kuch thek se samjhti tabhi tumhara kaarya pura hua Analia ab baaki ka jeeven apni behan
ke saath apne grah me khushi khushi bitao ye awaaz meri thi jise sunkar Analia aur uske
andar moujud Bhuvika khush ho gayi mann hi mann mujhe dhanyawaad dete hue dono
ek dusre me guthe hue apne logon ke taraf badh gaye wahi jaise hi Analia gaayab hui

Ronit:- abbe ye kaha gaayab ho gayi

Main:- uska kaam khatam hua wo apne ghar chali gayi ab tujhe bhi ghar jana hoga mujhe
aur Avni ko kal wali jagah jana hai

Ronit:- ab puchunga ki tum dono kaha jaa rahe ho toh tu batayega toh nahi

Main:- satya vachan par bohat jald main kaha gaya tha aur kyu gaya tha dono hi baatein
tujhe pata chal jayegi aur ab bye Ronit ne kuch kehne ke liye mouh khola hi tha par fir
usse apna mouh band karna pada reason filhal wo ussi parking me khada tha jahan se
hum yaha aaye the ek lambi saans lete hue wo apni bike ki taraf badh gaya wahi Ronit ko
gaayab karne ke baad main bhi Avantika ka haath pakda gaayab ho gaya aur agle hi pal
hum dono kal wali jagah par the the Twisted Dimension

Planet: Monslickel Place: Asmodeus Palace kuch hua hai naa father

Asmodeus ko smile karta dekh Beelzebub ne dheere se usse pucha jab Vikram ko
Asmodeus ne gale lagaya tabhi se Beelzebub ko ye baat khatak rahi thi gale lag jab dono
bhai alag hue aur fir jaise hi Vikram apne doston aur Bhuvika ko lekar gaayab hua toh
Beelzebub turant apne sawalon ko lekar Asmodeus ke paas lapka par jaise hi wo
Asmodeus ke kareeb gaya toh chonk gaya reason Asmodeus ke chehre par ek smile thi ek
aisi smile jo uske chehre par tabhi aati hai jab uske shatir dimag me kuch naya upja hota
hai jab Asmodeus ne kuch aisa kar diya hota hai jiske bare me tabhi pata chal sakta hai
jab Asmodeus saamne se uske bare me khud bataye apni baat keh jigyasa bhari nazro se
Beelzebub Asmodeus ke taraf dekhne laga

Asmodeus:- tumhe aisa kyu laga ki kuch hua hai?

Beelzebub:- apke chehre par iss waqt dikh rahi rahasyamayi muskurahat ki wajah se ye
bhaav akaran aapke mukh par kabhi nahi aate pichli baar aise bhaav aapke chehre par
tabhi aaye the jab Vikram ko Courious ke bare me pata chala tha aur aapne unke waha
pahunchne se pehle hi apni chaal chal di thi aisi chaal jiski wajah se Vikram ka astitv hi
badal gaya tha aaj firse wahi muskurahat aapke chehre par hai aur mujhe aisa lag raha ki
aapka Vikram ko gale lagana akaaran nahi hai aur kahi na kahi ye muskurahat bhi uss
aalingan se judi hui hai Beelzebub ki baat sunkar Asmodeus ke chehre ki muskurahat aur
gehri ho gayi

Asmodeus:- tumne sahi kaha Beelzebub Vikram ko maine akaran gale nahi lagaya tha jab
hum dono ek dusre ke gale lage hue the uss waqt maine Vikram ke mastishk me Shadow
World aur waha fase samay sanchalakon ki jhalkiyan daal di thi Asmodeus ki baat sunkar
Beelzebub shocked ho gaya

Beelzebub:- par isse toh Vikram na sirf Shadow World ke bare me sab jaan jayenge balki
waha jaakar wo sabhi samay sanchalokon ko azaad bhi kara lenge

Asmodeus:- kuch der pehle meri muskurahat ko dekh mere yojna ka andaza lagakar
tumne ek vidwan hone ka parichay diya aur abhi bewakufon bhari baatein kar fir se apne
murkh hone ka dhindora peet rahe ho murkh sawal puchne se pehle ek baar sawal ke
vishay me toh soch liya karo vishay matlab Shadow World kya jante ho tum Shadow World
ke bare me Asmodeus ki baaton ko sun Beelzebub ka sar neeche ho gaya tha aur jab
Asmodeus ne usse sawal kiya toh

Beelzebub:- Shadow World aapke khud ki rachna hai Shadow World waise toh ek grah hai
par asal me wo ek karaagar hai

Asmodeus:- haan kaaragar ek aisa kaaragar jiske bahar se andar tak jana bhi bohat kathin
hai ya fir ye kahu ki Vikram ko chhod kar kisi ke liye bhi iss kaaragar ko dhund tak paana
naa mumkin hai par agar Vikram uss karagaar numa grah ko khoj uske andar chala bhi
jaye toh waha se bahar aana uske liye bhi naa mumkin hai kyu ki Shadow World ko sirf
bahar se niyantrit kar khola jaa sakta hai andar se nahi

Beelzebub:- par father agar Vikram chaahe toh apni shaktiyon ka istemaal kar Shadow
World ka vinash bhi kar sakta hai aur aisa me toh Vikram samay sanchalakon ko bacha kar
wapas Yeluptus pahuncha dega

Asmodeus:- aisa nahi hoga Vikram chah kar bhi Shadow World ko khatam nahi karega

Beelzebub:- kya main puch sakta hun kyu father? Asmodeus ne kuch nahi kaha bas apne
seene ke upar haath rakha agle hi pal uske sene ke beech ek tez roshni hui aur jab roshni
ghati toh Asmodeus ke haath me kuch tha jise usne Beelzebub ke saamne kar diya

Beelzebub:- parivartak

Asmodeus:- haan parivartak parivartak ke andar se jo kirne nikalti hain in kirnon se jo


adrishya Setu banta hai usse bramhaand ke har jeevanyaapi grah jud jata hai Vikram ke
Shadow World me jaate hi main iss parivartak se nikalne wali kirno ko bramhaand ke har
grah se jod dunga aisa hone ke baad Vikram chah kar bhi Shadow World ko khatam nahi
kar payega kyu ki Shadow World ke khatam hone ke saath saath usse jude hone ke kaaran
saare grah bhi khatam ho jayenge aur issliye ya toh Vikram ko apni kurbani deni hogi ya
fir pure bramhaand ki

Place: Twisted Dimension

ek baat puchun?

Main:- hmm pucho

Avantika:- kuch hua hai naa I mean tumne kuch kiya hai naa aur saath hi tumhe kuch pata
bhi chala hai haina Avantika ke sawal par main bas usse dekhkar muskura diya par mujhe
muskurata dekhkar Avantika ka shak yakin me badal gaya

Avantika:- I knew it mujhe laga hi tha ki kuch toh baat hai jab se hum yaha wapas aayen
hain tumhare chehre par do do expressions ek ke baad ek lagatar ban rahe hain aur mujhe
lag raha hai ki ho na ho hum jo kuch der pehle Monslickel gaye the wahi kuch na kuch hua
hai right Avantika ki baat sun maine ek baar firse uski taraf muskurakar dekha

Main:- aur aisa tumhe kyu lagta hai?

Avantika:- well Monslickel se aane ke baad se hi maine tumhare chehre par thodi tension
aur thodi khushi notice ki thi par uss waqt Analia aur Bhuvika ka matter tumhe solve karna
tha issliye tum apni feelings ko control me rakhe hue the par yaha aane ke baad wo
feelings fir tumhare chehre par dikhne lagi hai Avantika ki baat sun maine ek lambi saans
chhodi aur

Main:- tum sahi ho Monslickel jaakar mujhe ek faayda bhi hua hai saath hi kuch pata bhi
chala hai jo faayda hua hai ussiki wajah se main khush hun aur jo pata chali hai uski wajah
se bhi main khush hun par saath saath thoda tension bhi ho gaya hai

Avantika:- kya main tumhari khushi ki aur tension lene ki wajah jaan sakti hun? Avantika
ki baat sunkar usse dekh main fir ek baar muskuraya maine apni hatheli ko uske gaal par
rakh diya mere aisa karte hi Avantika ne bhi apna sar meri hatheli par jhuka sa liya

Main:- saaya main dekhunga aur tum aks ko pehchaan jaogi mere dimag me ubhri har
baat tumsirf tum hi jaan paaogi meri baat sun Avantika muskura uthi uske sawal ka jawab
toh mujhe usse dena tha hi par usse pehle maine apna dusra haath aage kiya mere aisa
karte hi meri banayi shield jo iss waqt mere saamne hi thi wo hat gayi uss shield ke
hathethe hi hum dono ki yaadein wapas hum dono ke dimag ke andar sama gayi yaad ke
dimag me wapas jane se Avantika ki aakhen ek second ke liye band hui fir khul gayi mera
dusra haath abhi bhi uske gaal ko sehla raha tha kuch der tak yunhi rehne ke baad maine
baat aage badhayi

Main:- mere khush hone aur tension me hone ki kadi ek hi hai meri baat sun Avantika ke
maathe par sawal ke silwaten ubhar uthi

Main:- yaad hai Monslickel se nikalne se pehle Asmodeus ne mujhe gale lagne ko kaha
tha

Avantika:- haan par mujhe uska tumse aisa kehna thoda ajeeb laga tha

Main:- hmm jaise hi main aur Asmodeus ek dusre ke gale lage mere dimag me kuch visions
dikhne lage

Avantika:- kaise visions?

Main:- kisi planet ki aur waha moujud logon ki sabse ajeeb baat ye thi ki uss planet ke log
actual me spirits jaise lag rahe the I mean unke bas shadows the bodies nahi thi aur jaise
Courious ke log jab shraapgrast the toh jis tarah unke body me thodi thodi der me cuts
ban jaate the waise hi un shadows ke neeche thodi thodi der me aag jal rahi thi jiski wajah
se unhe kafi taklif ho rahi thi ussi visions ya fir ye kahu ki uss planet ke logon ki haalat ki
wajah se hi mujhe thodi tension ho gayi hai Avantika jo bade dhayan se meri baat sun rahi
thi jaise hi maine Courious wali baat ka example diya uske kaan khade ho gaye aur jaise
hi maine apni baat khatam ki

Avantika:- ye sab visions tumhare dimag me daalkar tumhe dobara fasane ke liye ye pakka
Asmodeus ki koi nayi chaal hai

Main:- ho bhi sakta hai

Avantika:- ho bhi sakta hai matlab? wo visions yunhi tumhare dimag me kaise aa jayenge
aur khaas karke tab jab tum Asmodeus ke gale lage hue the

Main:- agar wo ye nahi kehta toh main usse aisa kuch karne ke liye kehne wala tha

Avantika:- matlab main samjhi nahi

Main:- mera matlab main khud chahta tha ki kisi tarah mere aur Asmodeus ke body ka koi
connection ho jaye aur uske mujhe gale lagate hi meri khwahish puri ho gayi
Avantika:- par kyu? maine kuch nahi kaha aur pehle apna right hand har taraf ghuma diya
mere aisa karte hi mere haathon se ek moti ray nikli aur ek bade se chaadar ka roop lete
hue uss ray hamare charon taraf fail gayi ya fir ye kahu ki hume uss ray ne khudke andar
dhak sa liya tha ab ye jagah puri tarke se surakshit thi hamare aas paas ki jagahon ko
charon taraf se dhakne ke baad ek baar maine apne dono haath failaye aur aakhen band
kar lin agle hi pal mere pure sharir se rays ki ek halki si parat bahar nikli aur mere aur
Avantika ke saamne aakar khadi ho gayi par uss ray ko dekhkar Avantika ki aakhen badi
ho gayi

Avantika:- ye toh

Main:- Asmodeus ki black energy ka ek kan hai maine Avantika ki baat ko pura kiya
Avantika:- par ye tumhe kaise mila aur iski tumhe kya zaroorat padh gayi?

Main:- maine kaha tha naa ki agar Asmodeus mujhe gale lagne ko nahi kehta toh main hi
usse aisa kuch karne ko kehta wo maine inhi rays ko paane ke liye kaha tha mere aur
Asmodeus ke gale lagte hi uski urja meri urja se chipak gayi aur hamare alag hote waqt
uski urja ke kan meri urja ke andar sama gaye jinhe maine apni urja me badalne se pehle
hi kaid kar liya jise wo apna swaroop na kho payen jo visions mujhe Asmodeus ke gale
lagte hi dikhe thewo in rays ki wajah se bhi dikh sakte hain issliye jab tumne kaha ki
asmdoseus ne hi mere dimag me un visions ko daala haitoh maine ho bhi sakta hai kaha
tha

Avantika:- Asmodeus ki urja ke kan bina uski ijazat ke tumhare andar kaise sama gaye?

Main:- tum do baatein bhul rahi ho pehli ye ki white energy se hi black energy bani hai
black energy se white energy nahi issliye white energy jab chahe black energy ko apne
andar kheench sakti hai par black energy ko aisa karne ke liye bohat se measures lene
padenge dusra Asmodeus bhi kisi zamane me ek angel tha uske devil lord banane ke baad
bhi uske sharir me white energy lagatar doudti rehti hai infact uski black energy ko
shaktiyan bhi uske sharir me basi white energy hi deti hai aur issi wajah se Asmodeus itna
khatarnaak hai par fir bhi Asmodeus ab sirf white energy ka ek dhaarak hi hai naa hi wo
unka malik hai aur naa hi uska uttar adhikari un rays ka uttar adhikari main hun aur issi
wajah se jab uske sharir me lipti black energy meri urja se prabhavit hokar mujhse lipti
toh maine un energy ke saath aaye white energy ko command kiya ki mujhe uske andar
moujud black energy ke kuch kan chahiye toh un white energy ne bina Asmodeus ke
zehen me aaye uske sharir se nikalne wali black energy ke kuch kano ko mere andar
transfer kar diya
Avantika:- oh

Main:- ye tha tumhare kaise kiya ka jawab ab bacha tumhara dusra sawal ki aisa karne ki
mujhe kya zaroorat padh gayi? Avantika ne kuch nahi kaha bas mujhe dekhti rahi

Main:- kal jo mera yaha par dusra kaam thauske bare me maine tumhe kuch bataya th?
yaad hai

Avantika:- haantumne kaha tha ki uss kaam me thoda zyada waqt lag jayega

Main:- hmm aur wo zyada waqt lagne wali baat maine issliye batayi thi kyu ki fir maine
Avantika ko kal ke mere kaam me deri hone ki wajah batayi aur saath ne ye bhi bataya ki
main Asmodeus ki black energy kyu laya hun meri baat sunkar Avantika ke chehre par
satisfaction me bhaav aa gaye

Avantika:- toh ab?

Main:- kal jo spell maine tumhe bataya tha wo yaad hai

Avantika:- of course kawacham parivaranam

Main:- very good toh jaisa tumne kal kiya tha tumhe aaj bhi thek waisa hi karna hai tum
dhayan me baitho aur jaise hi meri urja ka bhaag tumhare sir ko touch karespell bol dena

Avantika:- cool Avantika mere baaju me hi dhayan mudra me baith gayi uske aankh band
karte hi mere haath se meri urja nikli aur uske sir ke upar jaakar ruk gayi fir main bhi
dhayan awashta me baith gaya aur agle hi pal meri urja mere sharir ke bahar aa gayi jaisi
hi meri urja meri sharir se bahar aayi kal hi ki tarah aaj bhi ek ke baad ek do chizen hui
uddharagrahati zakti prakati karoti borrowed power unfold mere mouh se pehla spell
nikla aur uske agle hi pal kawacham pari varanam shield cover mere spell bolne ke agle hi
pal Avantika ke sar ke upar jo meri urja ka kan ruka hua tha wo uske dimag me pravesh
kar gaya aur aisa hote hi Avantika ke mouh se uske dwara kahe jane wala spell nikla aur
fir dobara ek ke baad do chizen huin pehli ye ki mere spell ki wajah se kal waaii chiz dobara
mere andar se nikli aur aisa hote hi meri urja ne usse khinch liya aur jaise hi uss chiz ne
meri urja ko chhuameri urja kal hi ki tarah disbalance ho gayi aur ussi haalat me mere
karib aane lagi par isse pehle ki wo mere body ko chhuti dusri cheez ho gayi aur wo ye ki
Avantika ke spell ke prabhav se uske sharir se uski shield bahar aa gayi aur usne mujhe
aur Avantika ko apne ghere me le liya meri urja sidhe jaakar Avantika ke shield se takrayi
aur piche hat gayi wahi meri urja aur uss dusri chiz ke milte hi meri aakhen khul gayi main
ek tak apni urja ko dekhne laga darasal main apne irja ke andar moujud chiz ko scan kar
raha tha par kal hi ki tarah aaj bhi mujhe koi khaas fayeda nahi hua aur issliye maine apne
haath ek baar firse aage kar spell kaha ravadonam insert spell bolne ke baad main dobara
meri urja ke andar moujud chiz ko scan karne laga kuch der laga par fir mujhe finally
kaamiyabi mili jaisi hi mera kaam khatam hua maine apni urja ko uss chiz se jo filhal usse
mili hui thi alag kar diya dono ko alag kar maine Avantika ki shield wapas uske sharir me
pahuncha di aur apni urjo ko wapas khud me samane diya shield ke wapas sharir me jaate
hi Avantika ke andar jo meri urja thi wo usse bahar aakar mujhme sama gayi meri urja ke
nikalte hi Avantika ki aankhen khul gayi aur usne jhat se meri taraf dekha mere chehre
par muskaan dekh Avantika samjh gayi mera kaam pura hua hum dono khade hue maine
Avantika ko apni baahon me le liya kuch der tak yunhi rehne ke baad

Avantika:- ab maine kuch nahi kaha bas ek baar firse haath aage kar diye aisa karte hi
mere haathon se meri urja bahar aayi aur saame hawa me tairti hui uss chiz aur uske saath
saath jo Asmodeus ki urja main laya thausse jaakar takrayi agle hi pal ek chota sa dhamaka
hua dhamaka hote hi waha roshni hui aur jaisa ki maine bataya tha ki Twisted Dimension
me roshni nahi tikti issliye dhamake ki roshni ke ubharte hi Twisted Dimension ne uss
roshni ko khud me sokh liya ab naa wo chiz bachi aur naahi Asmodeus ki wo energy jo
mere saath saath yaha aayi thi yaha ka kaam ab khatam ho chuka tha maine jo shield apne
charon taraf bichayi thi usse hata diya

Main:- chalen Avantika ne haan me sar hilaya aur agle hi pal hum dono gaayab ho chuke
the

Planet: Monslickel Place: Asmodeus Palace

father mujhe

Asmodeus:- Bhuvika mehsoos nahi ho rahi hai yahi kehna chahte ho naa Beelzebub ki baat
ko Asmodeus ne pura kiya

Beelzebub:- ji father

Asmodeus:- wo issliye kyu ki tumhara usse sambandh toot chuka hai itna hi nahi Bhuvika
ab devil bhi nahi rahi apne pitah ki baat sunkar Beelzebub chonka

Beelzebub:- par ye kaise sambhav hai father? Bhuvika aur main toh ek dusre ki shaktiyon
se jude hue the bina ek dusre ki marzi ke hum dono kaise alag ho sakte hain? aur Bhuvika
ab devil nahi rahi ye kaise ho sakta hai? hamari prajati me aaya toh jaa sakta hai kintu iss
yoni se nikla nahi ja sakta Beelzebub ki baat sunkar Asmodeus ne usse ghur kar dekha jise
Beelzebub sakpaka gaya
Asmodeus:- jisne devils ki rachna ki tum usse devils ke swaroop ke bare me bata rahe ho
Asmodeus ki baat sun Beelzebub ka sar neeche jhuk gaya

Asmodeus:- Bhuvika ek devil me badli zaroor thi par ye mat bhoolo ki uske andar white
energy pehle se thi aur wo bhi itni maatra me jiski wajah se uske andar tumhare khoon
dwara daali gayi black energy se bhi koi fark nahi pada tha uske andar devils ki soch aur
shaktiyan toh aa gayi kintu uske andar pehle se moujud white energy ki wajah se sthyayi
roop se wo shaktiyan uske sharir par kabhi kabza nahi kar payi aur ye baat Vikram ko pata
thi issliye usne ussi white energy ki madad se jo ki Bhuvika ke andar pehle se moujud thi
hamari energy ko bahar nikal diya aur aisa hote hi tum dono ka ek dusre se sambandh
toot gaya Asmodeus ki baat sun Beelzebub ne kuch nahi kaha bas haan me sar hila diya

Asmodeus:- jo beet gaya usse bhul jaao jo aane wala hai usse grahan karo Asmodeus ki
baat sunkar Beelzebub ne sawal bhari nazro se uski taraf dekha

Asmodeus:- yaad hai Cross Worlds me mere andar teen rays samayi thi aur maine tumhe
bataya tha ki unme se ek ray tumhare liye hai Asmodeus ki baat sunkar Beelzebub ki
aankhen chamak uthi Asmodeus ki baat sunkar usse andaza ho gaya tha ki usse ab un rays
ke bare me pata chalne wala hai

Beelzebub:- ji father aur un rays ke bare me jaanne ki jigyasa abhi bhi mere mann main
prabal hai Beelzebub ki baat sunkar Asmodeus muskura utha

Asmodeus:- hmm baaki dono rays ke janane se pehle uss ray ke bare me jaan lo jo
tumhare liye hai fir uske baad Asmodeus ne Beelzebub ko uss ray ke bare me batana shuru
kiya Beelzebub ko pata tha ki Asmodeus ke dimag ka koi saani nahi par fir bhi jaise hi
Asmodeus ne Beelzebub ko uske istemal ki ray ke bare me bataya uski aankhen hairat se
faile gayi aur uske mouh se anayas hi nikal gaya ki

Beelzebub:- kya aisa ho sakta hai? par apni baat keh Beelzebub ghabra gaya usse laga ki
uska aisa kehna Asmodeus ko uski touhin bhi lag sakti hai aur iss wajah se uski aakhon me
dar dikhne laga par Beelzebub ki baat sun Asmodeus naraz nahi hua balki uski muskurahat
aur gehri ho gayi

Asmodeus:- ghabrao mat itna hi kaha Asmodeus ne par utni hi baat sun Beelzebub ka naa
sirf dar khatam ho gaya balki uske mann ki jigyasa fir se badh gayi aur wo issliye kyu ki
Asmodeus dwara bataye gaye ray ke raaz ki wajah se ab wo baaki ke dono rays ke bare
me janane ke liye adhir ho utha Beelzebub ki adhirta se Asmodeus bhi bhali bhaati parichit
tha aur isse pehle ki Beelzebub un do rays ke bare me puchta
Asmodeus:- baaki ki dono rays Asmodeus baaki ki dono rays ke bare me batata gaya jise
sunkar ek baar firse Beelzebub ki aakhen chowdi hoti chali gayi aur jaise hi Asmodeus ne
apni baat puri ki

Beelzebub:- toh issliye door kiya tha aapne Vikram se unka astitvaur badla tha unka
attitude

Planet: Mirrors World Place: Planets Border

abbe ye kaisa planet hai? pura viraan pada hua hai aur wo door me kya cheezen hain jo
chamak rahi hai? mujhe vishwas nahi ho raha ye toh Mirrors World hai isse pehle ki main
Ronit ki baat ka koi jawab deta uske baaju me khadi Shaila ne full excitement me apni
baat kahi excited sirf Shaila hi nahi hui thi balki khudko Mirrors World me khada dekh
Shaila ke dusri side me khade Akshaant aur Mokalsar bhi kafi khush ho gaye the dono ke
chehre par iss waqt bohat badi muskaan thi kal Twisted Dimension se louteht he mujhe
aur Avantika ko raat ho gayi thi Ronit ko maine call karke aaj ghar par aane ko kaha tha
jaise hi Ronit ghar aaya maine usse bataya ki hume to din ke liye kahi jana hai meri baat
sun Ronit ki excitement badh gayi par isse pehle ki wo mujhse kuch puchta maine usse
apni excitement shaant rakhne ko kaha maine usse bas itna bataya ki hum jahan jaa rahe
hain waha hum naa sirf mere kaam se jaa rahe hain balki waha uska bhi ek bohat
important kaam hai aur wo kya hai ye usse waha pahunchke hi maalum padega hum dono
ne apne ghar walon se do din ki camping par jane ki permission le li aur wahi Avantika ne
kisi friend ki behan ki shayadi ka bahana bana liya ek sunsaan jagah par pahunch maiRonit
aur Avantika gaayab ho gaye aur sidhe vrihakh pahunche aur waha se Shaila Mokalsar aur
Akshaant ko saath lekar hum yaha Mirrors World ki sarhad par pahunche jise dekhkar
jahan ek taraf Ronit confused tha wahi dusri taraf Shaila Mokalsar aur Akshaant behad
khush aur in sab se alag Avantika ko toh maine sab pehle se bata diya tha issliye wo normal
thi

Ronit:- oye Akshaant tu yahi paida hua hai kya?

Akshaant:- nahi toh kyu?

Ronit:- nahi Shaila iss jagah ko dekhkar aise khush ho rahi hai jaise ye iska sasural ho

Shaila:- ye sirf mera nahi balki har yodha kaha r sorcerer ka aur har bhuddhi jeev ka sasural
hai Shaila ki baat Ronit ko samjh nahi aayi par isse pehle ki Shaila Ronit se kuch kehti
Main:- iss jagah ko Mirrors World kehte hain door wo cheezen jo tujhe chamakti hui dikh
rahi hain wo aur kuch nahi balki wo teen mirrors hain jinse hokar iss duniya ke andar jaaya
jata hai

Ronit:- duniya ke andar matlab?

Main:- Mirrors World God ke ijazat se Agrasena ka banaya ek adhbhud grah aisa grah
jahan har vyakti apne hunar ko uski aakhri shikhar tak lejane ke liye aata hai iss grah ke
andar sirf wahi jaa sakta hai jise wo jo teen mirrors chamak rahi hai unme se koi ek usse
khud chune

Ronit:- mirrors chunti hain par kis binah par?

Main:- un teen mirrors me alag alag kabiliyat chupi hui hai jiske binah par wo yaha
pahunchne wale ka chunaav karti hai pehli mirror ki kabiliyat hai combating har kabil
yodha ka chunav iss mirror ke dwara hota hai agar iss mirror ke saamne khada hone wala
yaha se yudh prashikshan lene ke kabil hai toh ye mirror usse apne andar kheench usse
uske pehle padhav tak pahuncha deti hai dusre mirror ki kabiliyat hai sorcery har kabil
magician ka chunaav iss mirror ke dwara hota hai teesre mirror ki kabiliyat hai mind
gaming har bhuddhiman vyakti ka chunaav iss mirror ke dwara hota hai ye mirror kuch
hard puzzles puchti hai aur isme andar jane ko iccha rakhne wale ko un puzzles ka sahi
jawab dena padhta hai

Shaila:- ek samay tha jab hum teeno yaha aane ke liye bohit adheer the par Baba
(Akshaants dad) hum teeno se hi kehte the ki hum filhal uss layak nahi hain ki yaha aa
saken par fir hamari mulakat Vikram se ho gayi aur usne hume itna sashakt bana diya ki
hamari yaha aane ki iccha khatam ho gayi kintu Bhuvika se saamna hone ke baad mujhe
ehsaas hua ki hamari shaktiyan kafi nahi hain hume aur shaktiyan prapt karni hongi aur
uske liye Mirrors World se behtar koi jagah nahi hai jab Vikram ne mujhe aur Akshaant ko
Bhuvika se aazad karaya thatab mere mann main aur shaktishali banane ka vichar aaya
tha jise Vikram ne jaan liya tha aurisne mujhe ashwast kiya tha ki meri khwahish zaroor
puri hogi aur aaj mujhe Mirrors World me laakar Vikram ne mujhe adhik shaktishali
banane ka raasta dikha diya hai Ronit jo dhayan se meri aur mere baad Shaila ki baat sun
raha tha Shaila ki baat khatam hote hi

Ronit:- mujhe nahi ki yaha se shaktiyan prapt karne ke baad bhi hume koi fayeda hoga
hum bhale hi bramhaand ke sabse shaktishaali yodhamagicians ya buddhi jeev kyu naa
ban jayen par asuri shaktiyon se ya fir ye kahu ki un black energy ke dharakon se ladhna
aur unse jeetna jinhe Asmodeus ne apni shakti se tayar kiya hota hai lagbhag naa mumkin
hai yaha pahunchkar jo excitement un teeno me dikh rahi thi Ronit ki baat sunkar wo
aadhi ho gayi fir bhi ummid toh un teeno ko ab bhi thi aur isilye

Shaila:- fir bhi hamari taakatein toh badh hi jayengi naa aur waise bhi hamare paas aur
koi vikalp bhi toh nahi hai

Main:- aur koi vikalp ho naa ho par yaha in teeno mirrors se shakti haasil karne ka vikalp
ab nahi raha meri baats sunkar wo charon chonke

Charon:- matlab charon ke mouh se ye shabd ek saath nikla

Main:- matlab ye ki in teeno mirrors ko shakti jiski wajah se milti thi wo ab kaid me hai
jiski wajah se ye ab kaam nahi karti meri baat sunkar charon firse chonke par isse pehle ki
unme se koi iss bare me mujhse puchtamaine yaha Agrasena aur Beelzebub ke beech hui
ladhayi aur uske baad jo hua uske bare me bataya jise sunkar sabhi nirash ho gaye

Shaila:- matlab yaha se hume koi laabh nahi hoga

Main:- maine aisa toh nahi kaha

Ronit:- abbe tune hi toh bataya naa ki mirrors kaam nahi kar rahi

Main:- aur tune bhi toh kaha tha ki mirrors se shaktiyan badhane par bhi koi khaas fayeda
nahi hoga

Ronit:- bhai mujhe itna toh maalum hai ki tere dimag me koi na koi idea hai jise hume
fayeda hone wala hai par yaarjo bhi baat haisidhe sidhe batateri ye ghumavdaar baatein
mujhe ganit jaisi lagti hai aur tujhe toh pata hai ki main maths me kitna weak tha Ronit ki
baat sunkar mere saath saath sabhi hans diye par saath saath baaki ke teeno ke mann
main bhi meri baat sunkar wapas ek ummid ki kiran jaag gayi thi

Main:- tumhe yaha se shaktiyan milengiaisi shaktiyan jinse tum sab kisi bhi adharmi ka
chaahe wo kitna hi shaktishali aur maayavi kyu nanaash kar paaoge meri baat sun sabhi
ke chehre khil gaye

Ronit:- ab ye ki na tune mere bhai wali baat

Main:- par jaisa ki maine kaha tha koi bhi cheez muft me nahi milti usse paane ke liye
keemat chukani padti hai jis shakti ki main baat kar raha hon usse paane ke liye tumhe
bohat khatre uthane padenge
Ronit:- arre bhai jaan bhi chali jaye naa toh gum bhi koi gum nahi par ab yaha se jayenge
toh apne lakhshya ka paar karke hi jayenge

Sab:- bilkul

Main:- jaan kisi ki nahi jayegi par jis chiz ko kaamna liye tum sab yaha aaye hoagar
kaamiyab nahi hue toh toh jo hai wo bhi tumse chhin jayega meri baat kisi ko samjh me
nahi aayi

Main:- tum sab yaha shaktiyan prapt karne aaye ho jise paane ke liye tumhe unhi
shaktiyon ke dwara bichhaye maaya jaal aur dusri chunoutiyon se ladhna padega aur
jeetna padega par agar tum aisa karne me naakamiyab rahetoh wo shaktiyan toh tumhe
nahi milengi uske upar tumhare paas abhi jo shaktiyan hai wo bhi tumse chhin li jayengi
meri baat sunkar sabhi chonk gaye kuch der tak ek dusre ko dekhne ke baad aankhon hi
aankhon me sabhi ne jaise ek faisla liya aur

Sabhi:- hum tayar hain un charon ke faisle se mere chehre par muskaan aa gayi

Ronit:- par yaar ye toh bata ki hume ye shaktiyan milengi kahan?

Main:- mirrors ke andar ki duniya me

Ronit:- than what are we waiting for lets go ye bol jaise hi Ronit ne apna ek kadam aage
badhaya aahhh Ronit ke sharir ko ek tez jhatka laga aur wo udte hue piche jaa gira kuch
der tak apni situation ko samjhne ke baad apni kamar ko sehlaata hua wo khada hua wahi
Ronit ke saath jo hua usse dekh sabhi shocked ho gaye the

Main:- tune itna bhi nahi socha ki jab hume mirrors ke andar se apne safar ki shuruat karni
hai toh maine tum sab ko yaha mirrors se itni door grah ke sarhad par kyu prakat kiya

Ronit:- ab puchta hun bhai saala ye kya locha hai aur mujhe current koun chutiya maar
gaya

Main:- Digvijay mere mouh se Digvijay sun jahan ek taraf Mokalsar Akshaant aur Shaila
normal rahe wahi Avantika aur Ronit chonk gaye

Ronit:- Digvijay par wo toh mar gaya hai naa

Main:- haan par jaate jaate ek aakhri kaand kar gaya hai

Ronit:- matlab
Main:- matlab grah drwaram bandham issi spell se Digvijay ne Mirrors World ko har taraf
se bandh diya hai aur issi wajah se yaha ke sarhad ko paar nahi kiya jaa sakta sirf black
energy ke dhaarak hi iss ghere ke andar jaa sakte hsin

Ronit:- abbe toh tere liye kaun si badi baat hai tod de uske bandhan ko

Main:- main aisa kar toh sakta hun par mere aisa karne se Mirrors World ke andar ki
duniya ko nuksaan pahunch sakta hai aur main aisa nahi chahta haan agar main iss
bandhan ke andar hota toh isse asani se tod sakta tha jise iss grah ko bhi koi nuksaan nahi
hota par filhal toh main bahar hun

Ronit:- toh ab

Main:- ab ye ye kehkar maine apna haath aage kiya mere aisa karte hi mere haathon ke
upar ek black ray naachne lagi jise dekhkar sabhi chonk gaye

Shaila:- ye toh black energy hai

Ronit:- ye tujhe kaha se mili?

Main:- ye wahi black energy hai jo Bhuvika ke andar thi jise maine bahar nikala tha

Ronit:- par isse toh tune dusri duniya me bhej diya tha naa

Main:- haan par sirf tab je liye jab tak Bhuvika apne grah nahi pahunch jati kyu ki agar
main isse Bhuvika ke Courious pahunchne se pehle wapas bula leta toh ye usse zaroor
nuksaan pahunchane ki koshish karta par ab ye kuch nahi kar sakta

Ronit:- par tune isse wapas bulaya hi kyu hai? maine kuch nahi kaha bas uss black energy
ko halka chu liya mere aisa karte hi wo ek bade se ball me convert ho gaya par wo ball har
taraf se band nahi tha balki hamari taraf se khulla tha maano koi darwaza ho

Main:- chalo ye bol main uss black energy ke ball ke andar chala gaya mere piche piche
baaki sab bhi uske andar aa gaye

Ronit:- kamaal hai black energy ke andar hone ke baawjud ye hume nuksaan nahi
pahuncha raha hai

Avantika:- duffer white energy ke waaris ke saath khada hai tu aise me koi shakti tujhe
kaise nuksaan pahuncha sakti hai Avantika ki baat sun main muskura diya sabke andar
aate hi maine apna haath aage kiya mere aisa karte hi wo black energy ki ball aage badh
gayi iss baar kuch bhi nahi hua hum aaram se uss bandhan ke andar chale gaye bandhan
ke andar pahunchte hi maine apne haath aage kiye aur bandhan aklonam shield blast
mere spell bolte hi Digvijay ka banaya gaya bandhan blast ho gaya par kyu ki hum iss waqt
uss bandhan ke andar the issliye grah ko koi nuksaan nahi hua bandhan ko todne ke baad
main sabhi ko lekar uss black energy ke ball se bahar aa aaya aur aur agle hi pal wo black
energy bhi gaayab ho chuki thi maine usse wapas uski andhere ki duniya me bhej diya tha

Ronit:- saale ye sab pehle nahi kar sakta tha befaltu ka mujhe itni zor ka jhatka laga

Main:- apni sadhi buddhi lagane se fursat mile toh tu kuch sune naa faayde ki baat suni
nahi ki uchalna shuru main kuch bataun usse pehle hi tu aage badh gaya tha

Ronit:- abbe toh tu rok bhi toh sakta tha

Main:- fir tujhe seekh kaise milti ki hadbadi me hamesha gadbadi hoti hai Ronit kuch
kehne hi wala tha ki

Avantika:- baaki ki ladhayi ghar wapas jaakar kar lena abhi aage badhen

Main:- aur kitna aage pohonch toh gaye hum meri baat sun jab sabhi ne saamne dekha
toh chonk gaye kyu ki iss waqt hum the three mirrors ke saamne khade the Ronit aur meri
behes me sab hum dono me itna involve ho gaye the ki kisi ko bhanak tak nahi lagi ki
maine sabko gayab kar yaha mirrors ke saamne laa diya hai jaise hi sabki nazar saamne
hawa me khadi un teeno bade bade mirrors par gayi toh unhe meri kahi gayi baat yaad
aayi teeno mirrors ke neeche bade bade aksharo me un mirrors ki kabiliat likhi hui thi

Avantika:- mirrors ki shaktiyan toh khatam ho gayi hai naa fir hum andar kaise jayenge
maine kuch nahi kaha bas pehle Avantika ko muskurakar dekha aur aage badh teeno
mirrors ke beech khada ho gaya beech me khada ho maine ek baar palat kar Avantika ko
dekha aur

Main:- har shakti mujhse hi hai aur main uss shakti se aur ab main yaha hun toh in mirrors
ki shakti bhi yahi hai ye bol maine saamne mirrors ki taraf dekha aur apne haath faila diye
mera aisa karte hi mere sharir se ek tez chamakdar kiran jo ki meri hi urja thi wo nikli aur
teeno mirrors se jaakar takrayi aur aisa hote hi wo teeno mirrors tez chamakne lagi aur
agle hi pal dono side ke mirrors ek jhatke me beech wale mirrors se takraye par ye kya?
takraane se kisi bhi mirror ko koi nuksaan nahi hua ulta side wale dono mirrors beech
wale mirror le andar sama gaye aur aisa hone ke dusre hi pal uss bache hue ek mirror ke
beech se ek tez roshni ki beam nikli aur mere seene ke beech me padi aisa hote hi main
uss beam ke through mirror ki taraf kheenchane laga wahi jaise hi main kheenchane
lagamere sharir se bhi 5 rays nikli aur jaakar un paanchon se takrayi aisa hote hi wo
paanchon bhi meri hi tarah kheenchane lage aur kuch hi der me hum sab mirror ke dusri
taraf the

Adventure begins:

unbelievable yaar bahar se dekh kar koi andaza bhi nahi laga sakta ki ye jagah aisi bhi ho
sakti hai jaise hi hum mirror ke through Mirrors World ke andar aayetoh yaha ke nazare
ko dekh kar sabhi shocked ho gaye mirror ke dusri taraf jahan se hum yaha aaye the waha
ka pura ilaka banzar tha jabki ye jagah jahan hum sab abhi khade thewo puri hari bhari thi
har taraf ped hi ped poudhe aur upar neela Akash behad hi khubsoorat prakrutik drishya

Ronit:- yaar kitna acha mousam hai yaha ka aur wo dekhowaha door me kuch chamak
raha hai Ronit ne saamne point karte hue kaha

Main:- wo chamkili jagah hi tum sabki manzil hai meri baat sunkar sabhi shocked hokar
mujhe dekhne lage

Main:- haan wo wahi jagah hai jo tumhe ya toh asadharan shaktiyan dega ya fir tumse
tumhari shaktiyan cheen lega meri baat sunkar sabhi ke aankhon me ek chamak aa gayi

Ronit:- bhai ab aur intezar nahi hota chalo chalte hain ye bolkar Ronit aur uske saath
baakiyon ne apne kadam aage badhaya hi the ki saayenn saayennn hazaron ki taadad me
teer tezi se mere doston ki taraf aaye aur sabse badi baat ye thi ki wo teer adrishya the
aur saath hi unke hawa ko cheerte hue aane ki aawaz bhi tni kam thi shayad hi koi usse
sun paye mout bankar aate hue wo teer mere doston se kuch door aakar visible ho gaye
jise mere doston ne dekh liya par un teeron ki speed itni zyada thi ki itne kam time me
mere dost usse rokne ke liye naahi koi spell bol sakte aur naahi uske raaste se hat sakte
the koi faisla na le paane aur un paine teero ke ekdum kareeb aa jane ki wajah se sabhi ki
aakhen band ho gayi aur agle hi pal tannn wo saare teer ek adrishya lohe ki diwal se
takrate chale gaye wahi apne saamne se aa rahi aawaz ko sun sabhi ne apni aakhen kholi
aur teer ki ho rahi dasha ko dekh pehle toh sab chonke par fir mera ehsaas hote hi sabhi
normal ho gaye wahi kuch der tak lagatar teeron ki baarish hoti rahi par fir mere doston
ko koi nuksaan na hote dekh teeron ka aana band ho gaya

Avantika:- ye sab kaun kar raha hai? kahi ye bhi Beelzebub ka koi maaya jaal toh nahi hai
Main:- nahi Dhanurmain apko dekh sakta hun saamne aa jaiye jaise hi meri baat khatam
huimere saamne kuch hi door par ek tez roshni hui aur uss roshni ke beech se Dhanur
bahar aaye jinke aankhon me vismay ke bhaav the

Dhanur:- kaun ho tum? par maine kuch nahi kaha bas muskurate hue Dhanur ko dekhne
laga par jitna main muskura raha thautna hi Dhanur ke chehre ka rang udta jaa raha tha
reason Dhanur ke mujhse mere bare me puchte hi main apne asli roop me sirf unhe
dikhne laga meri asliyat jaankar ya fir ye kahu ki dekhkar Dhanur dar gaye unhe lagne laga
ki Lord of Angels ke upar baan varsha karke unhone ek bohat bada paap kiya hai aur issliye
wo jhat se mere pairon ko chune ke liye aage badhe par maine unhe rok diya

Main:- aap apna kaam kar rahe the issliye aap lajjit mehsoos naa kare pichli baar
Beelzebub ke aane ke samay aap yaha nahi the aur ussi beech Agrasena ke saath jo kuch
bhi hua uski wajah se aap khud ko gunehgaar maan rahe hain par yakin maaniye aisa kuch
bhi nahi hai jo hua usse hona hi tha aur rahi Agrasena ki baat toh ab jab main yaha hun
toh wo azaad ho jayenge Dhanur ne kuch nahi kaha bas mere aage haath jode khade rahe

Main:- main unke mann main uth rahe sawal se bhali bhaali parichit tha par filhal mujhe
mere doston ko uss chamakti cheez ke paas lejaakar uske bare me batana bohat zaroori
tha issliye

Main:- chaliyeus taraf chalte hain ye bol main hawa me uth gaya aur mere saath saath
Dhanur Avantika aur mere baaki ke dost bhi uth gaye aur hum sab tezi se aage badhne
lage aur kuch hi palon me hum uss chamakti jagah ke paas khade the par ab jo hum uss
chamakti jagah ke paas pahunche toh uss jagah ko dekh sabhi chonk gaye

Shaila:- ye toh

Mokalsar:- taalab hai

Ronit:- par ye kaala kyu hai?

Akshaant:- aur iske upar kya chamak raha hai? sabhi ne ek ek kar apne saare sawal puch
liye

Main:- yahi hai tumhari manzil Agrasena ne ek sword ke zariye iss pure grah ko banaya
tha uss sword me aseemit shaktiyan white energy ki shaktiyan thi aisi shaktiyan jo sirf
angels me hoti hain par iss duniya ko banane ke liye Agrasena ko sword se jitni urja ki
zaroorat thi sword se usse doguna maatra me urja bahar aa gayi jiski wajah se ye grah
banane ke baad asthi r ho gaya yaha ke sthi rta ko kaayam rakhne ke liye Agrasena ne
baaki ki urja ko iss taalab me badal diya par uske baad bhi yaha ki urja bohat zyada thi jise
sthir karna bohat zaroori tha aur issliye Agrasena ne the three mirrors banaye aur saath
hi bramhaand ke laakhon kabil yodhaon magicians aur buddhi jiviyon ko yaha bulakar
unke kala ko nikhaarna shuru kiya in shakti arjit karne walon me white energy ke dhaarak
bhi the aur black energy ke bhi jinme Digvijay aur Beelzebub bhi shaamil hain har koi jo
yaha aata aur yaha ke saare parikshaon me uttirn hota toh Agrasena usse yaha iss taalab
me le aate aur yaha wo dubki lagata isse uski shaktiyan kafi guna tak badh jati thi par yaha
dubki lagane wale ko ye nahi pata hota tha ki uske dubki lagate hi uske sharir ki safed ya
black urja ka ek bhaag iss taalab me hi reh jata tha ye taalab issliye hi kaala hai kyu ki yaha
shaktiyan prapt karne ke liye aane wale zyadtar log black energy ke dhaarak rahe hain aur
jo chamkili parat iss talab ke upar bichi hui hai wo yaha aane wale white energy ke
dharakon aur khud sword ki urja ki wajah se hai mere saare dost meri baat dhayan se sun
rahe the meri baat khatam hote hi

Ronit:- ab hume kya karna hoga? Ronit ke sawal par maine kuch nahi kaha bas apne haath
aage kar diye mere aisa karte hi mere ugliyon se white energy ki rays nikalkar talaab me
jane lagi aur aisa hote hi talaab ka rang halka halka badalne laga kuch hi der me talaab ka
rand aadha kaala aur aadha safed tha taalab me aaye iss naye parivatan ko dekhne ke
baad Ronit firse kuch kehne hi wala tha ki maine usse dobara talab ki taraf dekhne ke liye
kaha aur jaise hi usne talab ki taraf wapas nazarein ghumayin

Ronit:- abbe ye darwaza kaha se ban gaya?

Main:- Ronit ka sawal sabhi ka tha sabhi meri taraf dekhne lage

Main:- asuri shaktiyon se ladhne ke liye tumhare andar angels ki urja honi chahiye par uss
urja ko tum sab ka sharir filhal bardasht nahi kar sakta par itne saalon se black aur white
energy ko khudme sametne ki wajah se ye talab ek tarah ke shield ke parivatit ho gaya hai
ek aisa shield jisne agar tum sab ko apna liya toh tumhare sharir ke andar rehkar ye tumhe
angels ki white energy ko dhaaran karne ke layak bana dega par ye itna aasan nahi hai
maine apni urja se iss taalab ki urja ko baandh diya hai par aisa karne se iski shaktiyan
usse alag hokar asthi r ho gayi hain jo darwaza tum dekh rahe ho wo un shaktiyon ne
banaya hai jo bhi uss darwaze ke andar jayega usse iss taalab ki shakti se ladhhkaar jeetna
hoga agar wo aisa karne me kaamiyab hua toh iss talab ki shaktiyan ek kawach ka roop le
lengi aur jaise hi aisa hoga wo kawach aur urja wapas ek dusre se milkar unhe harane wale
ke sharir ke andar chali jayengi par agar aisa nahi hua toh taalab ki shaktiyan usse ladhne
wale ki shakti bhi usse chhin lengi aur dobara wo aur urja pehle jaisi ek ho jayengi kya tum
sab tayar ho

Sab:- haan hum tayar hain

Ronit:- ab tu bhi jaa aur Agrasena ko bacha kar le aa Ronit ki baat sunte hi meri nazar
Dhanur par gayi jo meri taraf hi dekh rahe the aur ab bhi unke chehre par sawal the

Main:- mujhe pata hai ki Agrasena ke paas jo sword hai wo meri hai meri baat sunkar
Dhanur ke chehre se aadhi tension nikal gayi par aadhi abhi bhi thi jo ki asal me main
tension thi

Dhanur:- aapko ye bhi pata hoga ki Beelzebub ne aapke talwar ke saath kuch chhal kya
hai aur agar aapko talwar tak pahunchna hai toh pehle belelzebub ki maaya jo ki asal me
Asmodeus ka maaya jaal haiusse todna hoga

Main:- mujhe pata hai

Ronit:- aap tension mat lijiyeye un sab maaya jaalon ko zaroor tod dega Ronit jo abhi bhi
mere paas hi khada tha usne Dhanur ki baat ka jawab diya

Dhanur:- iss baat ka toh mujhe bhi yakin hai ki lord uss maaya jaal ko zaroor tod denge
kintu

Ronit:- par kya? maaya jaal ka hi toh tension hai naa?

Dhanur:- asli taklif toh usske baad shuru hogi

Shaila:- matlab?

Dhanur:- bhale hi talwar lord ki hai par God ne usse Agrasena ke hawale kiya tha issliye
maaya jaal ke haththe hi sword wapas Agrasena ke paas chali jayegi

Ronit:- haan toh Vj Agrasena se apni sword wapas le lega naa

Dhanur:- ye itna aasan nahi hai Agrasena yunhi lord ko sword nahi dega

Ronit:- matlab?

Dhanur:- sword haasil karne ke liye lord ko ek naa mumkin kaam ko mumkin banana hoga

Avantika:- kaisa kaam?

Dhanur:- aapki sword jo filhal Agrsasena ki milkiyat hai aur jiske rehte Agrasena ko ek
kharoch tak nahi lag sakti aapko ussi sword se Agrasena ko maarna hoga
Planet: Mirrors World

bhaiyon ye sir toh lag gaye kaam pe ab hamari baari par andar jane se pehle hume koi
yojna bana leni chahiye Ronit & party ko talaab ke aur unki chunouti ke bare me sab kuch
bata kar main aur Avantika apne chunouti ke saamne ya fir ye kahu ki Beelzebub ke dwara
rachi gayi maayajaal ke saamne jane ke liye gayab ho gaye wahi Dhanur ab bhi mere
doston ke saath hi khade the hamare jane ke baad Ronit ne baat aage badhayi jiske jawab
me Shaila ne apni baat rakhi

Ronit:- yojnapar kis liye? mera matlab hai ki andar hamara saamna kis chiz se hone wala
haiiska humme se kissi ko bhi koi andaza nahi hai aur bina ye jane ki hum kin kin cheezon
ka saamna karne wale hainhum yojna banaye toh banaye kaise?

Mokalsar:- tum sahi ho Ronit kintu fir bhi satarkta ki drishtikon se humme andar jane se
pehle hi kuch na kuch tayari kar leni chahiye mere kehne ka arth ye hai ki ho sakta hai ki
jo dwaar hamare saamne dikh raha haiwaha par pahunchte hi hum sab par aakraman ho
jaye aur waisi sthi thi ke liye hume pehle se tayar rehna chahiye

Akshaant:- Mokalsar thek keh raha hai yaad karo ki jaise hi hum yaha Mirrors World ke
andar pahunche thetoh Dhanur dwara jin teeron se hum par aakraman hua thausse toh
hum dekh bhi nahi paye the agar Vikram hamare saath nahi hota toh humme se koi ab
tak jeevit bhi nahi bachta par ab jab Vikram hamare saath nahi hai toh hume har pag ke
saath chowkanna rehna hoga yudh ki yojna toh hum sab apni chunoutiyon ko dekhne ke
baad hi tay kar sakte hain kintu kisi bhi aprayakshit ya aakasmik hamle ke liye toh hume
abhi se tayar hona hoga naa

Dhanur:- kya aap sab sach me uss talaab ke dwar ke andar jane ka khatra mol lena chahte
hain? Dhanur jo ab tak mere doston ki baatein sun rahe theAkshaant ki baat khatam hote
hi unhone apna sawal sabke saamne rakha

Ronit:- aapke mann main iss sawal ke uthne ka kaaran main samjh raha hun kuch der
pehle aapke kiye gaye prahar ko humme se koi dekh tak nahi paya thaissliye aapko hum
sab ke kaushal par sandeh ho raha hoga main maanta hun ki atti nishchintata bhi sahi nahi
aur issi laparwahi ki wajah se hum aapke waar ko rok nahi paye par ye bhi ek sach hai ki
jab Vikram saath ho toh kisi bhi khatre se bachne ke liye sajag rehne ki zaroorat hi nahi
hai naahi aisa koi shashta bana hai aur naahi koi astra jo Vikram ke rehte uske doston ka
baal bhi baanka kar de aur issliye hi hum sab nishchint the aur jahan tak sawal iss talab ke
dwaar ke andar jane ka hai toh hum sabko ye toh gyaat nahi hai ki hamara saamna kin
chunoutiyon se hone wala haipar itna maalum hai wo chunoutiyan kahi se bhi aasan nahi
hone wali hume ye toh nahi maalum ki hume kitni taklifon kaa saamna karna padega par
ye zaroor maalum hai ki wo taklifen hamare housle se badhkar nahi ho sakti hume ye bhi
maalum hai ki agar hum asafal rahe toh jo taakatjo shaktiyan hamare paas hai wo bhi
humse chhin jayengi par saath saath hume ye bhi maalum hai ki un shaktiyon ke bina jo
iss taalab ki chunoutiyon ko paar kar hume milni wali hainin shaktiyon ka jo hamare andar
haikoi mol nahi issliye hum iss dwar ke andar bhi jayengeaur bahar bhi aayenge aur wo
bhi sahi salamt shaktiyon ke bhandar par sawar hokar jahan Ronit ki baat sunkar Dhanur
usse kafi impress ho gaye wahi Akshaant Mokalsar aur Shaila ko aaj Ronit me meri jhalak
dikh rahi thi

Shaila:- tum toh bilkul Vikram ki tarah baat kar rahe ho

Ronit:- Vj ki tarah taakat toh nahi par uska attitude toh udhar le hi sakta hun naa yahi Vj
ka sabse bada hathyar hai aur agar hum sabko iss mirror world me mil rahi chunoutiyon
ko paar karna hai toh hume bhi iss attitude naam ke hathyar ko saath lekar chalna hoga

Dhanur:- mujhe tumhara housla bohat acha laga tumhari baaton se tumhari satyata aur
nekdili bhi jhalakti hai mujhe pura yakin hai ki jis taakat ko paane ke liye tum sab yaha
aaye houska tum sab sadupiyog hi karoge issliye iss chonutiyon ke safar me main bhi tum
sab ke saath hun Dhanur ki baat sunkar mere saare friends khush ho gaye

Akshaant:- aap jaise anubhavi maargdarshak ka saath hamare liye kisi vardaan se kam
nahi

Dhanur:- ab aur vilamb karna uchit nahi chaloaage badho Dhanur ki baat sun mere saare
friends ne unke adventure ke safar ka shri ganesh karte hue apne kadam aage badhaye
taalab ka paani ab puri tarah se jam chuka tha wo dwar jise hokar mere friends ko taalab
ke andar jana tha wo beech me tha mere saare friends aur unke saath Dhanur ek saath
chalte hue aage badhe aur darwaaze ke saamne pahunch kar ruk gaye

Akshaant:- ek kadam aur fir hum iss darwaaze ke andar honge sab sajag raho andar pair
rakhte hi kuch bhi ho sakta hai

Shaila:- fir bhi khatra bohat hai kyu ki darwaze ke dusri taraf toh ghana andhera hai andar
kya haikuch dikh hi nahi raha

Mokalsar:- par andar jana toh padega hi naa Ronit jo abhi andar ki taraf hi dekh raha
thausne Mokalsar ki baat khatam hote hi shashtram pkaratam weapon aapear saayen
saayen Ronit ke mouh se spell uccharit hote hi iss awaaz ke saath uske haath se bohat
saare krupalteeraur bhaale nikle jo darwaze ke andar chale gaye Ronit ko laga ki agar
darwaze ke andar koi ghaat laga chup kar hamla karne ke liye baitha hoga toh uske chhode
gaye shashtron se maara jayega par aisa kuch nahi hua saare shashtra andar toh gaye par
uske baad naa toh koi awaaz hui aur naahi aur koi pratikriya ab un sab ke paas risk lekar
andar jane ke alawa aur koi chaara nahi tha aur issliye ek lambi saans chhodte hue Ronit
ne aage badhte hue apna right pair darwaze ke andar daala aur tabhi

Place: Magic Wall

arre talwar toh saamne uss diwal par tangi hui hai par hum toh ek talwar lene aaye the
par waha diwal par toh do talware tangi hain par dono ek dum ek jaisi lag rahi hain kya
asli talwar ko pehchanana hi wo chunouti hai jise tumhe paar karna hai main aur Avantika
gayab hokar uss mayavi diwal ke saamne pahunche jise Beelzebub ne banaya tha aur uss
diwal par asli talwar aur ussi ki ek hubahu nakal banakar tanga diya tha

Main:- haan yahi wo chunouti hai jo Beelzebub ne yaha aane wale ke liye rakhi hai

Avantika:- par Beelzebub ke kisi bhi maaya ko todna toh tumhare liye aasan kaam haina

Main:- tumne meri baat dhayan se suni nahi maine kaha ki saamne dikh rahi maaya
Beelzebub ne rakhi hai par iss maaya ko Beelzebub ke dimag me Asmodeus ne daala hai
iska matlab hai ki iss maaya ka nirmata Asmodeus hai

Avantika:- phir toh ye maaya bohat khatarnaak hogi aur isse paar karna bohat mushkil

Main:- aasan kaam me maza bhi nahi aata madam aur waise bhi Asmodeus ka toh kaam
hi hai mujhse sawal karna aur mera kaam hai uske sawalon ka jawab dena saamne dikh
rahi maaya ke roop me usne apna iss baar ka sawal puch liya hai ab meri baari hai usse
jawab dene ki

Avantika:- tum aur tumhari baatein par ye toh batao ki shuruat kaha se karni hai

Main:- aage badho meri baat sunkar ek baar Avantika ne meri taraf dekha maine usse
aankhon se hi aage badhne ka ishara kiya mere ishare par jaise hi Avantika ne apna right
pair aage badhaya takk Avantika ka pair ek adrishya chiz se takraya jise ye awaaz ubhri ek
invisible chiz ke takrane se Avantika shocked ho gayi aur uss invisible barrier ke bare me
mujhse puchne ke liye wo piche mudne hi wali thi ki

Avantika:- arre ye toh darwaza jaisa lag raha hai


Main:- darwaza nahi darwaze apne saamne wale darwaaze ke side me dekho mere kehne
se Avantika ki nazar side ki taraf gayi toh fir chonk gayi uske side me bhi uske saamne jaisa
hi darwaza tha

Avantika:- kamal hai ye achanak do do darwaze kaha se aa gaye aur ye dono band kyu
hain

Main:- band hone ke saath saath dono me ek common baat aur hai

Avantika:- kaun si baat?

Main:- dono darwaze dono talwaron ke theek sidh me bane hain meri baat sun jab
Avantika ne meri kahi baat par gour kiya toh

Avantika:- arre haan ye toh maine dhayan hi nahi diya tha par in sab ka matlab kya hai?

Main:- simple hai dono darwaazon me se ek ko hume chunana hai sahi darwaza hume asli
talwar ke paas pahuncha degi aur nakli darwaza hume uss chakravyuh me le jayegi jise
bhed kar hi hum iss maaya jaal ko tod payenge

Avantika:- wow toh fir hume kaun sa darwaza chunana chahiye

Main:- usse kuch fark nahi padta koi sa bhi chun lo

Avantika:- matlab koi sa bhi kaise? agar aise hi chun liya toh hum kahi Asmodeus ke
chakravyuh me fas naa jayen?

Main:- ye maaya jaal Asmodeus ka buna hua hai ek tarah se kaha jaa sakta hai ki ye ek
khel hai jise usne banaya hai jab tak hum iss khel ko khelne ke liye tayar nahi honge tab
tak naa toh hum iss maaya jaal ko samjh payenge aur naahi isse tod payenge

Avantika:- mujhe tumhari koi bhi baat samjh me nahi aayi Avantika ki baat sun main
muskura diya

Main:- thoda time do sab samjh me aa jayega filhal bina soche samjhe jis darwaze ke
saamne khadi housse dhakka do meri baat sun Avantika ne haan me sar hilaya aur wapas
saamne mod gayi mann hi mann ishwar ka naam lete hue Avantika ne apne saamne wale
darwaze par apne dono hatheli rakhe aur push kiya Avantika ke push karte hi darwaza
bina awaaz kiye khulta chala gaya aur tabhi

Back to Friends:
arre ye jagah toh bilkul hamare training ki jagah magical dimension jaisi dikh rahi hai haan
hon bahu waisi hi hai Ronit ki baat ka Shaila Mokalsar aur Akshaant ne samarthan kiya toh
hua yun ki jaise hi Ronit ne apna right pair darwaaze ke andar rakhadarwaaze ke andar ka
andhera tez roshni me badal gaya jisme se kuch rays nikalkar mere sabhi doston aur
Dhanur ke upar pade aur wo sabhi uss rays ke maadhyam se uss darwaze ke andar ki
duniya me kheenchte chale gaye darwaze ke andar kheenchne ke baad bhi tez roshni ki
wajah se kisi ko kuch dikh nahi raha tha par kuch der baad roshni apne aap kam hone lagi
aur kuch hi der me ek normal light ke beech sabhi ne khudko ek bade se anthi n jagah par
khada paya ye jagah thek uss magical dimension ki tarah dikh rahi jisme Ronit aur Anjali
aur dusri taraf Shaila Mokalsar aur Akshaant mujhse yudh prasihikshan liya karte the
jahan sabhi iss jagah ke unke practice ki jagah se resemblence ke bare me baat kar rahe
the wahi Dhanur un sab ki baatein sun raha tha aur jaise hi sabhi ne Ronit ki baat ka
samarthan kiya

Dhanur:- kya tum sab jaaduyi aayam ke bare me baat kar rahe ho?

Shaila:- ji Vikram hume thek aisi hi ek jaaduyi aayam me lejakar yudh prashikshan dete
the

Dhanur:- hmm kintu iss jaauduyi aayam aur uss jaaduyi aayam jahan tum sab prashikshan
lete the usme antar hai uss aayam me agar tum kisi yudh kala ko sikhte waqt ya fir kisi
astra ko prayog me laate waqt asafal hote the toh tumhe aur aneko mouke milte the apni
galti ko sudharne ke liye kintu yaha tumhe koi dusra mouka nahi milega ek chuk aur sab
khatam

Ronit:- ye baat hum jante hain ye koi prashikshan me milne wali chunouti nahi hai balki
asli chunouti hai jisme ya toh iss paar yaa fir uss paar

Dhanur:- mere mann main ek aur baat aa rahi hai aur wo ye ki tumhare pair rakhte hi
hume uss darwaze ne iss jagah par pahunchaya hai wo jagah jise tum sab pehle se parichit
ho iska arth ye hai ki ye jagah tumhare sparsh se tumhare bare me sab kuch jaan chuki
hai aur issliye usne tumhare saamne pehli chunouti ke liye iss jagah ko chuna hai

Mokalsar:- par abhi tak kuch hua kaise nahi mera matlab hai ki hum yaha kitni der se
khade hainfir bhi abhi tak hum par kisi tarah ka na toh aakraman hua hai aur naahi kisi
tarah ki chunouti mili hai

Shaila:- wo saamne dekho waha safed churna se chaar gole bane hue hain Shaila ki baat
sunkar sabhi ki nazar unse kuch aage floor ki taraf gayi jahan for circles bane hue the
Akshaant:- arre haan uss jagah par toh mera dhayan hi nahi gaya kintu in golon ka kya
matlab ho sakta hai?

Mokalsar:- shayad wo gole hum charon ke liye banaye gaye ho aur hamare un golon ke
andar khade hone ke baad yaha ki chunoutiyan saamne aayen

Shaila:- kintu hum toh paanch hain naa fir chaar golon ka kya abhipraaya ho sakta hai

Dhanur:- Mokalsar sahi hai maine kaha tha ki hamare sparsh se iss jagah ne hamare bare
me sab kuch jaan liya hai ye hamare saare bhaavnaon ko parichit hai iss jagah ko ye
maalum hai ki main yaha bas tum sabka saath dene aaya hunmujhe khud yaha se kuch
bhi nahi chahiye issliye mere liye koi gola nahi bana

Ronit:- Dhanur sahi hain aur ab hume baaton me waqt nahi barbaad karna chahiye aur
aage badh un golon me khade ho jana chahiye Ronit ki baat par sabhi haan me sar hilate
hue aage badhne lage wahi Dhanur apni jagah par hi khade rahe mere dost satarkta se
har taraf dekhte hue aage badhe aur un chaar circles ke saamne pahunch gaye par circle
ke saamne pahunchte hi charon ko ek jhatka laga aur wo issliye kyu ki un golon ke andar
un sab ka naam likha hua tha wo sab ek dusre ki taraf dekhne lage ab ye baat clear ho gayi
ki unki aage ki journey iss gole ke andar se hi shuru hogi ek dusre ko aakhon hi aakhon me
dekhne ke baad sabhi ne ek lambi saans chhodi aur uss circle ke ghere ke andar chale gaye
aur tabhi ek saath do cheezen hui pehli har gola jiske andar mere charon dost the wo tezi
se bada hone laga jiski wajah se har circle ek dusre se door hone lage dekhte hi dekhte
har circle bada hokar khud me hi ek magical dimension ban gaya toh ab kul chaar magical
dimensions the aur mera har dost apne khud ke ek magical dimension ne akela khada tha
dusra har circle ke khudko ek ek magical dimension me badalne ki wajah se mere dost ek
dusre ko nahi dekh paa rahe the par Dhanur ek saath sabhi ko dekh sakte the aur wo aise
ki jaise hi circles expand hue toh jis magical dimension me Dhanur khade hue the wo ek
bade se room me convert ho gaya room me convert hone ke baad Dhanur ke saamne
hawa me chaar bade bade parde ban gaye jinme mere charon dost dikh rahe the kaha jaa
sakta hai ki Dhanur abhi ek darshak ki tarah mere doston ki action movie ko un pardon se
dekhne wale the wahi mere charon dost unke aas paas ho rahe parivartan ko dekhkar
bohat zyada chakit the aur wo shock aur badh gaya jab kuch pal baad un sab ne khud ko
akela ek dimension me khada paya kuch seconds lage un sab ko sambhalne me aur jaise
hi apne vichar se bahar aakar sab ki nazar saamne gayi toh charon ek baar firse chonk
gaye reason ab wo magical dimension me akele nahi the iss waqt un sab ke saamne koi
na koi khada tha jise dekh kar sabhi ke mouh se ek saath nikla clone combat ji haan doston
iss waqt mere charon doston ke aage unke clones khade the jinhe dekhkar unhe andaza
ho gaya tha ki jaise prashikshan ke samay jis tarah clone combat fighting ke waqt unke
saamne wale clones ke andar un jasi hi pratibha hoti thi thek ussi tarah se unke saamne
jo iss waqt unke clones khade theunme bhi un sab ke hi jitni taakat aur khubiyan moujud
hongi par prashikshan wale clones aur inme ek antar tha aur wo ye ki training wale clones
ke chehron par koi bhaav nahi hote the par iss waqt jo clones mere doston ke saamne
khade theunke chehre par krodh aur darindagi ke bhaav the wo sabhi apne asli swaroop
yaani ki mere doston ko khaa jane wali nazro se dekh rahe the wahi Dhanur bhi badi
dilschaspi lekar unke saamne hawa me jhul rahe pardon ko dekh rahe the

Clones:- tum sab ne yaha aakar bohat badi galti kar di hai jis taakat ko tum sab paane ki
laalsa liye yaha aaye ho wo toh tumhe milne se rahi ulta tumhari ab tak ki mehnat se
kamayi gayi taakat bhi hum tumse chhin lenge ye baat sabhi clones ne apne swaroop ke
asli malik se ki thi

Ronit:- dekh bhai mera roop lelene se tu main nahi ban jata aur apne ye sadhe dialouge
apne paas rakh jis kaam se aaya hai wo kar tujhe harane ke liye mujhe khudko harana
hoga aur jis shakti ki chahat liye main yaha aaya hunuske liye main khudko hara kar hi
rahunga aisi hi kuch baatein mere baaki ke doston ne bhi ki mere doston ki baatein sun
unke clones ke chehre ka ghussa aur zyada dikhne laga aur agle hi pal ramo stamane
release power ye spell charon clones ne ek saath bola tha jiske uccharit hote hi unke sharir
se bohat zyada maatra me hawa ke roop me unki power bahar aayi aur har taraf se failte
hue mere doston ke taraf badh gayi ye waar bohat ghaatak tha kyu ki isse bachne ke liye
mere friends kahi jaa bhi nahi sakte the kyu ki wo hawa roopi power force pure Magical
Dimension ki choudayi ko ghere hue unki taraf aa rahi thi par jo training mere dwara un
sab ko di gayi thi usse kathin se kathin paristithi me bhi khudko sayammit rakhne ka hunar
unme tha wo jante the ki ek sayyamit dimag hi har problem ka hal dhund sakta hai aur iss
waqt bhi itne ghatak aakraman ke hone ke baawjud wo sab shaant hi the ab tak wo hawa
roopi power force mere friends ke bohat paas aa chuki thi mere friends ne apne mann ko
ekdum shaant rakha hua tha par unke dimag bohat tezi se chal rahe the wo sab iss
aakraman se khudko bachane ki yukti soch rahe the aur tabhi mere friends ke dimag ki
batti jali wamo stamane observe power clones ki hi tarah mere charon friends ne bhi ye
spell ek saath bola tha mere friends ka iss spell ko uccharit karne ka sabse bada kaaran ye
tha ki jis spell ko mere friends ke clones ne kaha thausse jo power bahar aayi thi wo kahi
naa kahi mere friends ki hi thi kyu ki jo power mere friends ke andar thi wahi power unke
clones ke bhi andar thi aur issi soch ke dimag ke ubharte hi un sab ne observe power ka
spell bola spell ke uccharit hote hi jo air force badi tezi se mere friends ke taraf aa raha
thanaa sirf uski speed kam ho gayi par dekhte hi dekhte uska daayra bhi kam hone laga
aur mere doston ke paas pahunchte pahunchte wo hawa ek air ray me badal gayi jise
mere doston ke sharir ne observe kar liya power ko observe kar mere doston ne jab
saamne dekha toh unke clones ko khudko ghurte paya

Shaila:- ab ghurti hi rahegi ya aage ka daaw bhi khelegi naahi Shaila ke clone ne usse koi
jawab diya aur naahi mere baaki ke doston ke kiye gaye sawal par unke clones ne kuch
kaha saare clones ye soch rahe the ki unhe jo mantra pata hai wo unke saamne khade
unke roop dhaaran kiye gaye sharir ke asli malik ko bhi pata hai aur saath hi uss mantra
ka kaat bhi aur issliye mantro ke yudh me unhe harana asambhav hoga aur issliye agle hi
pal mere doston ke clones ke haathon me ek ek talwar chamak uthi clones ke haathon me
talwar dekh mere dost bhi samjh gaye ki ab ye astra shastra ki ladhayi kare ge wahi talwar
ke haathon me aane ke agle hi pal saare clones ke sharir teer ki tarah hawa me aage badhe
aur agle hi pal tannn tann issi awaaz ke saath charon clones ke talwar mere doston ke
talwar se takraaye clones ke hawa me uthte hi mere doston ne bhi ek ek talwar ka awaha
kar liye tha aur clones ke unke paas aate hi unhone apni apni talwar aage kar di thi
talwaron ke takraate hi mere friends ne talwar ko ek jhatka diya jiski wajah se clones hawa
me kala bazi khaate hue kuch piche jaakar khade ho gaye ek pal ke intezar ke baad clones
tezi se aage badhe aur second ke dusve hisse se bhi kam samay me saare clones ke talwar
lagatar chalne lage mere dost bhi har tarah se chonkanne the unhone clones ke har waar
ko block karna shuru kar diya kuch 15 minute tak clones lagatar mere friends par apni
talwar se alag alag angles se waar karte hi jaa rahe the jise mere friends bakhubi block kar
rahe the lagatar waar karne ke baad bhi jab clones mere doston ko koi nuksaan nahi
pahuncha paye toh sabhi wapas kalabaazi khaate hue piche jaakar khade ho gaye par ye
halt bas 5 second ka hi hoga kyu ki piche haththe hi ek baar firse sabhi clones ne mere
doston ke upar jump laga diya par iss baar do changes the pehla iss baar clones ke ek nahi
balki dono haathon me talware thi dusra clones ka ye hamla do tarfa tha saamne ki taraf
se wo khud mere doston ki taraf badh rahe the wahi baaki ke teeno taraf se ek saath kai
saare astra mere doston ki taraf lapke iss do tarfa hamle ka ehsaas hote hi ek pal ke liye
mere dost bhi shocked ho gaye par jaldi se khudko wapas sambhalte hue sabhi ne apne
bachav ka raasta khoj liya jahan ek taraf Ronit aur Akshaant ne bhi khudko hawa me
uchalte hue apne clones ke upar se nikal gaye wahi Shaila aur Akshaant neeche zamin me
letkar fislate hue aage ki taraf badh gaye clones ne jo mayavi astra mere doston ke upar
chhode thewo saare astra mere doston ke kad ke hissab se hi unki taraf badhe the issliye
Ronit aur Mokalsar ke clones ke kafi upar se nikalne ki wajah se wo astra khaali chale gaye
wahi Akshaant aur shaaila ke neeche zamin par fisalte hue jane ki wajah se naa hi unke
clone unhe chu paye aur naahi unke chhode gaye astra ek hi waqt par mere dost aur unke
clones ke pair zamin par fir tike par jahan pehle mere dost khade theab waha unke clones
the aur wahi clones ki jagah par mere dost khade the ab tak mere dost sirf defensive mode
par the aur clones attack mode par par zamin par pair tikte hi mere dost tezi se ghume
aur bijli ki raftar se unke clones ke paas pahunch gaye aur agle hi pal tannn tannn ki awaaz
ek baar firse charon magical dimension me gunj gayi mere dost lagatar bohat tezi se unke
clones ke upar hamla karne lage par clones bhi bakhubi unke waaro ko rok rahe the
lagatar bohat der tak aakraman karne ki wajah se mere dost thakne lage wahi maayavi
jeev hone ki wajah se clones abhi bhi fresh the thakan ki wajah se jaise hi mere doston ki
talwar chalane ki speed kam hui thaap thaap dhaak ye do awaazen firse charon
dimensions me gunj uthi reason mere doston ki speed kam hote hi unke clones turant
defensive se attacking mode par aa gaye aur mouka dekhte hi Mokalsar aur Ronit ke
clones ne dono ke chaati par apni apni laath maar di jiski wajah se dhaak ki awaaz ke saath
dono udte hue door jaakar gire wahi Shaila aur Akshaant ke dheere hote hi unke clones
turant gol ghumte hue unke piche pahunche aur unki peeth par apne talwaar ki mooth se
prahar kiya jiski wajah se thaap ki awaaz ke saath wo dono aage ki taraf udte hue gire par
girte ke saath hi mere dost turant khade ho gaye iss waqt charon clones ke chehre par ek
khilli udane wali hasi thi par mere doston ko isse koi fark nahi pada mere saare dost iss
waqt ek dusre ko dekh nahi sakte the par apni shakti se ek dusre ko mehsoos toh kar hi
sakte the issliye khade hote hi sabhi ke aankh band hote chale gaye aur jaise hi unki
aankhen band huin ek saath sabhi ke dil me ek awaaz gunji reflex aprayakshit ye awaaz
meri thi jise sunte hi unke dimag ki batti jali aur charon ne ek dusre ke dil se khudko jod
diya aur aisa hote hi sabhi ke fighting techniques ek dusre se badal gaye Akshaant ki
technique Shaila me transfer ho gayi wahi Shaila ki Akshaant me Ronit ki Mokalsar me aur
Mokalsar ki Ronit me wahi mere doston ke clones ne jab dekha ki unke pratidwandiyon ki
aakhen band hain toh unhe ussi awastha me khatam karne ki liye wo aage badhe aur jaise
hi un sab ne apni talwar ghumayi tadak tadak in awaazon ke saath charon clones ke
gardan ki haddi toot gayi aur wo niche ludakte chale gaye toh hua ye ki jaise hi charon
clones mere doston ke paas pahunche mere doston ko naa sirf iss baat ka ehsaas ho gaya
balki wo tayar bhi ho gaye par apne apne tariko se nahi balki uske tarike se jiski figting
technique ab unki thi jahan Ronit aur Akshaant unke clones ke paas pahunchte hi unki
right aur left ki taraf aa gaye wahi Shaila jump karte hue uske clone ke sir ke upar pahunch
gayi aur Mokalsar neeche se hote hue apne clone ke piche pahunch gaye apni apni jagah
pahunchkar sabhi ne apne apne clones ke sir ko pakda aur dusri taraf ghumate chale gaye
jise unke clones ki gardan ki haddi toot gayi aur wo neeche girte chale gaye par tabhi do
cheezen hui pehli clones ke zamin par girne se pehle hi wo dhua bankar gaayab ho gaye
dusri clones ke gaayab hote hi dobara magical dimensions ka aakar badalne laga aur
dekhte hi dekhte charon magical dimensions wapas chote hote chale gaye aur finally mere
dost ussi magical dimension ke circle me ek dusre ke baaju me khade the jahan se unki
shuruat hui thi Dhanur ke saamne ki maaya bhi khatam ho chuki thi aur wo bhi ussi
magical dimension me khade the jaise hi sabki nazar ek dusre par padisabhi samjh gaye ki
baaki ke 3 bhi apne pehli chunouti ko paar karne me kaamiyab ho gaye hain sabhi ki khushi
ka thekana nahi raha charon ne ek dusre ke gale lagake apni khushi zaahir ki Dhanur jo ki
unke piche hi khade the wo bhi unke paas aa gaye

Dhanur:- appratim tum sab naa hi sirf ek bohat ache yoddha ho balki jis shakti ki talash
me tum sab yaha aaye ho uske layak bhi ho Dhanur ki baat sunkar sabhi muskura diye

Akshaant:- waise hamare yaha se jane ke baad apke sath kya hua? Akshaant ke sawal par
Dhanur sabhi ko batane lage ki unke jane ke baad unke saath kya hua jahan sabhi Dhanur
ki baat sun rahe the wahi Ronit apne hi kisi khayal me khoya hua muskura raha tha jise
Shaila ne dekh liye

Shaila:- tujhe kya hua? muskura kyu raha hai? Shaila ki baat sun sabhi ka dhayan Ronit par
gaya toh sabhi ne usse muskurata hua paya wo bhi uski muskaan ke piche ke raaz ko
janane ke liye uski taraf dekhne lage

Ronit:- main soch raha tha ki Vj ne hum sabko training di jise hum sabki yudh kala kitni
zyada nikhar gayi par jab hum sabka saamna Beelzebub aur Bhuvika se hua toh hume
hamari training bekar lagne lagi hume laga ki jo training hume Vj ne di haiuska koi mol
nahi par dekho aaj jis shakti ki talash me hum yaha aaye hainus shakti tak hum kabhi bhi
nahi pahunch paate agar Vj ne hume wo training nahi di hoti Ronit ki baat par sabhi ke sar
jhuk gaye kyu ki mere training ke liye negative vichar sabhi ke mann main aaya tha par aaj
ussi training ne unhe kaamiyab banaya tha

Dhanur:- shuruat ek se hi hoti hai par kabhi kabhi unche paydan par pahunchne ke chakkar
me hum uss pehli siddi ko bhul jaate hain kintu tum sab ko iss baat ka ehsaas hai yahi
bohat badi baat hai khud ko nirash mat hone do kyu ki aisa hone par tum sab ka
aatmvishwas dolne lagega jo tumhari aane wali chunouti ke liye acha nahi hoga

Ronit:- aisa kabhi nahi hoga jante hain kyu kyu ki hum bhale hi Vj par bharosa naa rakh
payen hon par usne humpar bharosa kiya hai aisa bharosa jo agar koi chahe bhi toh tod
nahi payega Vj hume yaha laata hi nahi agar hum yaha aane ke kabil nahi hote aur ab jab
hum yaha aayen hai toh jeet kar hi jayenge

Sabhi:- bilkul

Shaila:- par ab kya? agli chunouti ke liye hume kaha jana hoga

Dhanur:- waha saamne dekho Dhanur ne saamne point karte hue apni baat kahi Dhanur
ke point ki hui jagah par jaise hi sabki nazar gayisabhi firse shocked ho gaye kyu ki unse
kuch hi door saamne chaar roshniyan khadi thi khadi issliye kyu ki wo chaar roshniyan asal
me aakrutiyan thi jinpar mere charon doston ke naam likhe hue the ek dusre ki taraf ek
baar dekh mere charon dost uss roshni ki aakruti ki taraf chal diye aakruti ke paas pahunch
kar sabne apna haath uss roshni ke aage kar diya aur tabhi

Back to hero:

ye main kaha aa gayi? aur Vj abhi tak kaise nahi pahuncha? arre ye kya ho ho raha hai? ye
jagah hil kyu rahi hai? Vjjj Vjjj Avantika zor zor se mera naam pukarne lagi toh hua ye ki
Avantika ke darwaze ko push karte hi wo khulta chala gaya par jaise hi darwaza pura khula
uss darwaze ke andar tez roshni hui jise tez kirne bahar nikalte hue Avantika par padi aur
aisa hote hi Avantika un kirano ke saath darwaze ke andar kheenchati hui chali gayi roshni
ke samandar se hote hue Avantika ka sharir hawa me tairta hua aage badhne laga aur
kuch hi der baad Avantika ke pair kisi jagah par aakar tik gaye kyu ki roshni ab bhi kaaym
thi issliye Avantika ko andaza nahi tha ki wo kaha par hai aur naa hi usse mere koi andaza
tha par uski uljhane kuch hi der ki thi kuch der ke baad roshni dheere dheere kam hone
lagi aur jaise hi saamne ka nazara saaf hua toh Avantika chonk gayi reason iss waqt
Avantika ek pathrili jagah par khadi thi jahan door door tak patharon ke alawa aur kuch
nahi tha wo uss jagah ko samjh uske bare me keh hi rahi thi ki achanak wo saari jagah
kaampne lagi maano waha bhukamp aa gaya ho iss bhukamp ki wajah se Avantika bhi
khade khade ladkhadane lagi aur ye sab hota dekh mera naam lekar chilane lagi Vjjj

yahi hun AV relax awaaz sun jaise hi Avantika ne piche ki taraf dekha toh mujhe khada
paya mujhe dekhte hi uski tension khatam ho gayi par bhukamp ki wajah se uska sharir
abhi bhi ladkhada raha tha issliye maine usse uske kandho se pakad liya jise uska hilna
dulna band ho gaya darasal Avantika ke uss darwaze ke andar se aa rahe roshni ke dwara
kheenche jane ke kuch pal baad main uss us roshni se hota hua yaha aaya reason main
janta tha ki pehli chunouti ke roop me koi maaya hume nuksaan pahunchane ki koshish
karegi par Avantika ke surakhsa kawach ki wajah se uss maaya ka asar khatam ho jayega
aure waisa hi hua kaise aayi khud jaan lijiye
Avantika:- ye sab kya ho raha hai? ye jagh hil kyu rahi hai?

Main:- pehle iska hilna band ho jane do fir batata hun Avantika kuch kehne hi wali thi par
tabhi usne mehsoos kiya ki iss jagah ka hilna dheere dheere kam hone laga hai aur kuch
hi seconds me wo bhukamp puri tatrah khatam ho gaya jise Avantika ne raahat ki saasns
li

Avantika:- ab toh batao ki ye sab kya chakkar hai maine kuch nahi kaha bas apna haath
Avantika ki taraf kar diya mere haath se ek invisible ray nikli aur Avantika ki body se hote
huie har taraf failne lagi Avantika aankhon me sawal liye mujhe dekh rahi thi maine usse
ishare se har taraf nazar ghumane ko kaha aur jaise hi Avantika ki nazar sab taraf ghumi
wo shocked reh gayi reason jis pathrili duniya ke beech me hum khade thewaha door door
se bohat si invisible tarange vibrate karte hui aakar Avantika ke sharir me sama rahi thi
kyu ki pehle wo tarange invisible thi issliye Avantika ko wo dikh nahi rahi thi par mere
haathon ke dwara chhode gaye rays ki wajah se ab wo visible ho gayi thi Avantika hairan
pareshan si kabhi un tarango ko dekhti toh kabhi apne sharir ko chhukar usse samjh nahi
aa raha tha ki ye tarange aakhir hain kya aur uske apne sharir me samane ke baawjud usse
kuch mehsoos kyu nahi ho raha hai aur jab usse kuch samjh me nahi aaya toh wo meri
taraf ek baar firse sawal bhari nazro se dekhne lagi

Main:- jo tarange tumhari body me sama rahi hai wo aur kuch nahi balki tumhari hi shield
hai jo yaha aate hi khatre ko bhaampte hue active ho gayi hain jo bhukamp abhi yaha aa
raha tha wo bhi yaha ka ek maaya jaal tha aur ye issliye aaya tha kyu ki tumne bina kisi
mehnat ke yaha ke pehle chunouti ko aasani se paar kar liya tha

Avantika:- pehli chunouti wo kya thi? maine kuch nahi kaha bas apni ek ungli ko neeche
patthar ki taraf point kiya mere aisa karte hi mere ungli se ek bund paani nikli aur neeche
patthar ki taraf badh gayi aur jaise hi uss paani ke boond ne patthar ko chua Avantika ki
aakhen hairat se faile gayi reason jahan wo paani ka boond gira tha waha se bhaap nikalne
lagi thi jiska matlab tha ki wo patthar aag ki tarah garam tha

Main:- ye chunouti tumhare iss patthar par kadam rakhne ke kuch hi palon baad ye pathar
garam hona shuru ho gaye the par aisa hote hi tumhari shield ne tumhe cover kar liya jise
tumhare pairon ko iss patthar ki garmi mehsoos hi nahi hui tumpar koi asar naa hota dekh
iss jagah ne ek dusri chaal chali aur wo thi

Avantika:- bhukamp ki
Main:- hmm jise tum ladkhadi hui in pattharon par gir jati aur tumhe chot lagti par
tumhare shield ne naa sirf tumhe sahara diya taaki tum apne aap ko iss jagah par thoda
bohat stable kar lo balki uss shield ne tarango ka roop lete hue iss puri jagah me faile gayi
aur yaha ke maaya ko khatam kar diya

Avantika:- ohh toh issliye tumne mujhe pehle bheja tha aur fir thodi der baad yaha
pahunche

Main:- haan

Avantika:- par itna kuch karne ki kya zaroorat thi tum khud bhi toh iss jagah ki maay ko
khatam kar sakte the

Main:- nahi chakravyuh ka pehla niyam hai ki hume chakravyuh ke rachaita ke hissab se
khelna padta hai ye saara chakravyuh Asmodeus ka hai main yaha khudko bachane ke liye
toh magic ka use kar sakta hun kintu yaha ki maaya ko todne ke liye nahi uske liye mujhe
apna dimag lagana padega agar main yaha tumse pehle aa jata toh mera shield bhi
tumhari tarah active ho jata par jahan tumhari shield ne apne aap ko bachane ke liye iss
jagah ke maaya ko khatam kiya wahi mera shield yaha ke maaya ke jaagne se pehle hi
usse khatam kar deta jise hum kabhi bhi aage nahi badh paate

Avantika:- oh toh ab?

Main:- aage dekho mere kehte hi Avantika wapas palti aur aage ka scene dekh wo ek baar
firse chonk gayi jahan kuch der pehle tak door door tak pahrili zamin thi wahi ab Avantika
ke theek saamne ek bohat badi khaayi thi

Avantika:- arre ye kaha se aayi?

Main:- jab tum mujhse baat kar rahi thi tabhi hamari dusri chunouti ne khud ko aakar de
diya tha

Avantika:- aakar kaisa aakaar? ye toh ek khayi hai khayi me kaise chunouti?

Main:- khayi sirf ek maaya jaal hai chunouti uske andar hai

Avantika:- matlab

Main:- matlab ye ye bol main tezi se aage badha aur aaaa Avantika ki cheekh meri harkat
ki wajah se nikli thi darasal main Avantika ki kamar ko pakadte hue aage badha aur khayi
me chalang laga diya Avantika ne zor se mujhe pakad liya aur aakhen band kar lin par kuch
der ke baad jaise hi usse apne pairon ke neeche kuch mehsoos hua toh Avantika jhat se
mujhse alag hokar neeche dekhne lagi aur neeche dekh wo ek baar firse chonk gayi reason
hum dono iss waqt ek khuli hui jagah par khade the aur hamare pairon ke neeche choti
choti ghaans thi

Main:- kis baat ka dar tha madam aapko mere rehte aapko kuch ho sakta hai bhala?

Avantika:- kuch hone ki wajah se maine apni aakhen band nahi ki thi bas mujhe uchayin
se dar lagta hai Avantika ki baat sunkar main hans diya

Avantika:- ab haste hi rahoge ki aage kya karna hai iska pata lagaoge?

Main:- pata lagane ki koi zaroorat nahi hai saamne dekho Avantika ki nazre jo iss baar bhi
yaha pahunchte hi pehle niche gayi thi aur fir mujh par usne saamne ki taraf dekha aur
hamesha ki tarah firse chonk gayi reason hamare saamne hawa me kuch likha hua tha jise
Avantika ne padhna shuru kiya

ye doud tumhari hai isme tumhe akele hi bhaagna hoga nayi shakti ko paane ke liye tumhe
apni shakti ko tyaagna hoga urja ke bahaav ko kuch der ke liye rok do manzil par
pahunchne tak apni shakti ko mujhe soump do

Avantika:- iska kya matlab hai?

Main:- wahi jiska mujhe dar tha

Avantika:- matlab

Main:- ye maayavi duniya samjh chuki hai ki tumhare paas ek aisa shield hai jo iss jagah
ko naa sirf nuksaan pahuncha sakta hai balki bina kisi mehnat ke hara bhi sakta hai hum
yaha sword ke liye aaye hain jo meri shakti hai par meri asli shakti tum ho iss paheli ka
matlab hai ki agar main aage badhna chahta hun toh tumhe mujhse alag hona padega itna
hi nahi aage badhne ke liye mujhe tumhari urja ko tumse alag karna padega aur iss
chakravyuh ko todne tak tumhe iss jagah ke hawale karna padega meri baat sun Avantika
kuch der tak mujhe dekhti rahi fir

Avantika:- theek hai jaisa tum chaho

Main:- tumhe dar nahi lag raha hai ye sochkar ki bina tumhare shield ke tumpar hamla
bhi ho sakta hai meri baat sunkar Avantika muskura di

Avantika:- mera shield tum ho aur jab tak tum hoAvantika ka koi kuch bigad nahi sakta iss
baar meri baari thi muskurane ke liye maine apna haath Avantika ke sar par rakh diya aur
kawacham bahirbhava shield come out mere spell bolte hi Avantika ki shield energy uske
sharir se bahar aakar mujhme sama gayi

Main:- ye shield bhale hi mere paas hai par sirf tab tak jab tak tumpar koi jaan leva
aakarman nahi hota aisa kuch hote hi ye mujhse nikalkar tumme wapas sama jayegi

Avantika:- maine kahanaa mujhe in sab baaton ki parwah nahi maine aage badhkar ek
baar Avantika ka maatha chuma aur

Main:- jaao tumhari sawaari aa gayi meri baat sun Avantika ne saamne ki taraf dekha iss
waqt hamare saamne ek pinjra tha jiska darwaza khula hua tha ek baar mujhse gale lag
Avantika uss pinjre me chali gayi jaise hi Avantika pinjre ke andar gayi pinjre ka darwaza
lock ho gaya aur agle hi pal pinjre me ek tez prakash hua aur wo pinjra gaayab ho gaya
pinjre ke gaayab hote hi maine saamne dekha jahan hawa me kuch der pehle kuch likha
hua tha ab wo lekhai gaayab ho chuki thi aur uski jagah uss jagah par kuch naya likha hua
tha jise main padhne laga Shwetata par laal rang rachega aage tabhi badh payega jab iss
chunouti me zinda bachega swaans ko roke tu aage badhega apni parchayi ke dusre
swaroop se dekhna hai tu kaise ladhega?

abbe ye toh wahi mirror hai naa jise hokar hum iss duniya ke andar aaye the haan ye wahi
hai dekho mirror ke niche buddhi mathan likha hai par ye yaha kya kar rahi hai? Ronit ne
ek sawal se apni baat shuru ki thi jise Shaila ne ek naye sawal ke saath aage badha diya
toh doston hua yun ki jaise hi Ronit aur baaki teeno ne apne apne naam ki aakrutiyon ko
chune ke liye haath aage kiyaun roshni numa aakrutiyon ne mere doston ko apne andar
kheench liya aur unhe uss jagah par laa khada kiya jis jagah par mere dost iss waqt khade
the iss waqt jahan mere dost khade the wo jagah hari bhari ghaas ke layer se bani ek
bohat badi field thi aur uss maidan ke jis point par mere dost khade the unse thodi hi aage
ek bada sa mirror hawa me latka hua tha ye wahi mirror tha jise hokar mere dost iss
duniya ke andar pahunche the uss mirror ko dekh apna apna aashay bata sab apni apni
soch me gum the wahi mere doston ke gaayab hote hi Dhanur ke aage ek baar firse ek
bada sa parda ban gaya jise wo mere doston ko aur unke aage tange mirror ko dekh paa
rahe the par iss baar Dhanur ko kuch fark lag raha tha aur wo ye ki pichli baar uss parde
par wo mere doston ki awaaz bas sun paa rahe thepar iss baar unhe mere doston ki awaaz
unke kaano me gunjti hui si mehsoos ho rahi thi unhe aisa lag raha tha maano mere dost
unke paas hi khade hokar baat kar rahe hon aur iss baat ke dimag me click karte hi Dhanur
ko ek khayal aaya apne khayal ki sachayi parakhne ke liye
Dhanur:- kya aap sab mujhe sun sakte hain? ye awaaz jo Dhanur ne magical dimension
me khade hokar kahi thi wo maidan me khade mere doston ke kaano me gunj uthi jise
sunkar mere dost shocked hokar idhar udhar dekhne lage jahan mere dost shocked the
wahi Dhanur asli maajra samjh gaye the wo samjh gaye the ki chunouti ke iss padhav par
unhe apne doston ka sutradhaar banana hai aur issliye iss jagah ne unki awaaz mere
doston tak pahunchayi hai aur iska reason ye tha ki agli chunouti ko shuru karne ke liye jo
ki unhe unse kuch door khadi mirror se milne wali thi mere doston ko ussi process se
guzarna padega jise iss duniya me aane wala har vyakti guzarta hai aur issliye

Dhanur:- yaha waha mat dekho tumhe kuch nahi dikhega kyu ki main waha hun hi nahi
main ussi dimension me hun jahan se tum sab gaayab hue the aur pichle baar ki hi tarah
iss baar bhi main tum sab ko dekh sakta hun Dhanur ki awaaz aur baaton ko sun mere
doston ne idhar udhar dekhna band kar diya par sawal toh ab bhi unke andar the aur
issliye

Ronit:- agar aap dimension me hi hain toh fir hume aapki awaaz kaise sunayi de rahi hai

Dhanur:- ye faisla bhi iss jagah ka hi hai ye chahti hai ki tumhari agli chunouti ko shuru
karne ke liye main tum logon ki madad karun jo mirror tum dekh rahe ho tum sab uss
mirror ke thek saamne jaakar khade ho jaao Dhanur ki baat sun mere dost on ne waisa hi
kiya jaisa karne ko Dhanur ne kaha tha sabhi aage badhe aur mirror se kuch 10 feet door
uske saamne khade ho gaye mirror ki chaudai itni zyada thi ki mere charon doston ke ek
saath khade hone ke baad bhi mirror unse chouda lag raha tha mirror ke saamne khade
hokar mere dost kuch kehne hi wale the ki tabhi arre ye sab kya hai? isne hume baandha
kyu hai? ye baat mere charon doston ke mouh se ek saath nikli thi aur wo isilye kyu ki jaise
hi mere dost uss mirror ek saamne khade hue tabhi uss mirror se chaar roshni se bani hui
rassiyan nikli jisne mere doston ko kas kar lapet liya jise mere dost shocked ho gaye sabhi
uss bandhan se azaad hone ki koshish karne lage par wo kaamiyab nahi ho paye taakat ke
kaam naa aate dekh mere dost spell bolne jaa hi rahe the ki

Dhanur:- spell bolne ki koshish bhi mat karna jis jaaduyi rassi se tum sab iss waqt bandhe
hue ho wo koi maamuli rassi nahi hai jis mirror se wo rassi bahar nikli hai usme ussi mirror
ko taakat hai jo bohat zyada hai agar tum sab ne spell bola toh un rassiyon me bijli doudne
lagegi jiski shakti itni zyada hogi ki tum sab ek shan me hi jal kar raakh ho jaaoge issliye
shaanti se khade raho Dhanur ki baat sun mere saare doston ka hilna dulna band ho gaya
aur wo sab shaant khade ho gaye

Mokalsar:- par iss rassi ne hume baandha hi kyu hai?


Dhanur:- astra shashtra ki ladhayi toh tumne ladh li aur jeet bhi lipar ab tumhe dimag ki
ladhayi ladni hai jo mirror tumhare saamne hai usse tumhe buddhi bal ki chunouti milne
wali hai kuch sawal tumhare saamne rakhkar mirror tum sab ki pariksha legi uske puche
gaye sawalon ke jawab dene ke liye tumhe chunoti degi agar tumne uske puche gaye
sawalon ke jawab de diye toh thek hai warna tum ye chunouti haar jaaoge aur uss surat
me jis rassi se tum sab bandhe hue ho wo rassi tum sab ki shaktiyon ko sokh kar mirror ke
hawale kar degi

Shaila:- kya hum sabse alag alag sawal puche jayenge? Shaila ki baat ka Dhanur kuch jawab
dete ki tabhi kad kad ek tez awaaz mere doston ke saamne moujud mirror se hui jise meri
doston ki nazar uski taraf ho gayi aur tabhi ek ki chot se baaki teeno ko bhi kshati hogi ek
ka jawab baaki sab ki bhi niyati hogi

Ronit:- iski maa kaa saaki naaka toh ye ganit hai thek hai firab kar bhi kya sakte hain jawab
koi bhi deusse faayda bhi hum sabhi ka aur nuksaan bhi hum sabhi ka chal bhai mirror
sawalon ki ulti kar aur jawab de dekar usse saaf karte hain mirror ki baat sunkar sabhi ek
chit hokar chunouti ke roop me milne wale sawalon ko sunanane ke liye saamne mirror
ki taraf dekhne lage ki tabhi mirror ke beech wali jagah par ek shabd likhana laga jise mere
charon doston ne ek saath padha chetawani yahi wo shabd tha jo iss waqt mirror ke
beecho beech likha hua tha aur isse pehle ki mere doston me se koi aur kuch kehtamirror
ke beech se ek baar firse awaaz gunj uthi paanch sawalon ke jawab hal karne honge har
galat jawab par jurmaane bharne honge har sawal ke jawab ke liye teen mouke milenge
jo teeno jawab galat nikle toh aansu charon ke niklenge paanch me se kamsekam teen
jawab ko sahi hona hoga jo teen galat de diye toh zindagi bhar rona hoga mirror dwara di
gayi chetawani mere charon doston ke samjh me aa gayi thi wo jaan gaye the ki mirror
unse kul paanch sawal puchegi har sawal ke jawab ke liye un sab ko kul teen mouke
milenge aur agar un teen mouko me bhi unka jawab galat nikla toh unhe iski saza milegi
mirror dwara unsab se puche gaye 5 me se kul 3 sawal ka sahi jawab unhe dena hoga aur
agar wo aisa nahi kar paye toh wo haar jayenge jiska sidha sa matlab hai ki unki shaktiyan
unse chhin li jayengi ek ek lambi saans chhodte hue mere doston ne ek dusre ki taraf
dekha aur fir saamne mirror me dekhte hue ek saath kaha

Sab:- hum tayar hain jaise hi mere doston ne iss mirror ki chunouti ko swikara mirror me
ek baar tez roshni hui aur agle hi pal mirror ki awaaz har taraf gunj uthi

Pehla sawal:- aisa kaun sa sawal hai jise tum pure din puch sakte ho aur iska jawab har
baar alag alag ho sakta hai par sawal ek hi hoga? performance anxiety yahi wo cheez thi
jo iss waqt mere dost feel kar rahe the mirror ke sawal puchne se pehle tak toh sab normal
the par jaise hi mirror ki awaaz unke kaano me gunji unke maathe par bechaini ki silwaten
tairne lagi chunouti se jeet se milne wale inaam se zyada unsab ko haar se milne wali saza
ka dar satane laga tha aur ye sab uss mayavi rope ki wajah se ho raha tha jisne iss waqt
mere doston ko lapeta hua tha wo rope uss chaaku ki tarah thi jise halal hone wale ke
gardan par rakha jata hai saare apne apne dar ko hi tatole jaa rahe the ki itne me Ronit ke
dimag ne ek jhatka maara ye jhatka wo wakeup call tha jiski usse aur mere baaki ke doston
ko behad zaroorat thi

Ronit:- dostonis waqt hume apna pura dhayan mirror ke sawalon par kendrit karna hoga
warna hum chunouti se nahi balki khudse hi haar jayenge Ronit ki awaaz aur uski baat
sunkar baaki ke teeno jaise hosh me aaye apne dimag me panap rahe dar ko hata sabhi
mirror dwara puche gaye sawal ke bare me sochne lage ki tabhi

Mirror:- ek sawal par tum sab itna samay nahi le sakte agar jawab nahi pata toh haar maan
jaao apni saza bhugto taaki tumhare saamne dusra sawal rakha jaye?

Ronit:- aise kaise haar maan jaye uncle? aapke sawal ka jawab hai waqt samay waqt kitna
hua hai ye hum saara din kitne bhi baar puch sakte hain aur har baar hume alag alag jawab
milega par sawal hamesha wahi rahega ki waqt kitna hua hai? Ronit ke jawab ko sun Shaila
Akshaant aur Mokalsar ne pehle uski taraf dekha aur fir saamne mirror ki taraf wahi Ronit
ke jawab dene ke baad kuch seconds ki khamoshi rahi par uske baad

Mirror:- sahi jawab mirror ke mouh se sahi jawab sunkar jahan Ronit ke chehre par smile
aa gayi wahi baaki ke teeno ka toh khushi ka thekana hi nahi raha agar iss waqt wo sab
uss mayavi rope se bandhe nahi hote toh ab tak Ronit ke upar kood chuke hote teeno
Ronit ko shabashi de hi rahe the ki ek baar firse har taraf mirror ki awaaz gunj uthi

Dusra sawal:- bina chue sab khaate hain khaakar bhi pachtaate hain bolo aisi cheez hai
kya? jo kehte hue sab sharmaate hain ab ye ek tricky question tha jise jaise hi mirror ne
pucha mere charon doston ka dimag alag alag disha me doud utha sabhi ke dimag me alag
alag jawab aa rahe the par sabhi apne answer ko sawal se match karne me lage hue hain
aur tabhi

Mokalsar:- mujhe lagta hai ki mujhe jawab pata hai Mokalsar ki awaaz sun sabhi uski taraf
dekhne lage
Ronit:- sirf lagna nahi chahiye Mokalsar kyu ki lagne ka matlab hai ki jawab sahi bhi ho
sakta hai aur galat bhi par hume har jawab dene se pehle uss jawab ke liye puri tarah se
ashwasth hona chahiye

Shaila:- par mirror ne toh kaha hai naa ki hume har sawal ka jawab dene ke liye teen
mouke milenge

Akshaant:- haan par teen mouke zyada nahi hote Shaila aur mat bhoolo ki agar teeno
jawab galat nikle toh kya hoga teeno jawab ke galat hote hi mirror ke dwara hume saza
milegi zaroor uss saza se naa sirf hume taklif hogi balki uske baad bhi aur ye hamare liye
achi baat nahi hogi aur khaas kar iss chunouti ke waqt jahan hume dimagi kasrat karni
padh rahi hai

Ronit:- Akshaant sahi hai Mokalsar tumhe apne jawab ko lekar thoda sa bhi shak hai toh
ek baar aur soch lo aur fir jawab do abhi aur koi kuch kehta ki

Mirror:- tum sab ko bataya jaa chuka hai ki ek sawal ke liye tumhe itna waqt nahi diya jaa
sakta ye aakhri chertawani hai agar aage se tum sab ne sawal ka jawab dene ke bajaye
yun ek dusre se baat me samay vyarth kiya toh uss surat me tumhare 3 mouko me se ek
ko kaat diya jayega jise tumhe saza milegi ab bina samay vyarth kare puche gaye sawal ka
jawab do mirror ki baat sun mere dost thode tension me aa gaye the kyu ki abhi tak wo
sab kisi ek natije par nahi pahunche the par Mokalsar ke mann main mirror ke puche gaye
sawal ka jo jawab ubhar raha tha wo sahi lag raha tha aur issliye

Mokalsar:- jawab hai dhoka dhoke ko chua nahi jaa sakta fir bhi log isse khaate hain aur
khaakar aksar pachtaate hain par dhoka khaane ke baad bhi iss bare me baat karne se sab
sharmaate hain Mokalsar ne jawab toh de diya tha par ab uska dil dhaad dhaad karke baj
raha tha same haalat baaki sab ki bhi thi wo sab ye tak bhul gaye the ki agar Mokalsar ka
jawab agar galat bhi hua toh bhi unke paas aur do mouke hain mirror ke sawal ka sahi
jawab dene ke liye sabhi dhadakte dil ke saath mirror ki taraf dekhne lage wahi Ronit ke
pehle jawab ke dene ke baad jis tarah ki shaanti kuch der tak chaayi thi thek waisi hi shanti
iss baar bhi apni baahe pasare har taraf faili hui thi aur tabhi

Mirror:- sahi jawab mirror ke dwara bole gaye ye do shabd mere doston ke registaan ban
chuke dilon ke upar paani ki bouchar ki tarah padi sabhi ki khushi ka thekana hi nahi raha
sabhi apna apna thumbs up karke Mokalsar ko sahi jawab dene ke liye congrats kehne
lage sabhi apni khushi me magn hi the ki tabhi
Mirror:- teesra sawal agar iss sawal ka jawab tum sab ne sahi de diyatoh tum charon iss
chunouti ke vijeta ban jaaoge mirror ki awaaz ek baar firse har taraf gunj uthi jise sunkar
pehle toh jo khushi ki bouchar mere doston ke dilon par ho rahi thi wo ek jhatke me ruk
gayi aur wo area ek baar firse nervousness ke registaan me badal gaya par jaise hi mirror
ne apni baat aage badhayi toh sabke chehre par khushi ki chamak aa gayi sabhi ke
confidence wapas aane lage ek sawal aur chunouti paar iss khayal ke mann main ubharte
hi sab romanchit bhi ho uthe aur thode nervous bhi sabhi dhadakte dil se ek baar firse
mirror ke sawal ka intezar karne lage

Teesra sawal:- us chiz ka naam batao chize aag jala nahi sakti shashtra usse kaat nahi sakte
paani usse bhigo nahi sakti aur maut usse maar nahi sakti

Shaila:- hawa Shaila ne bina ek pal gawaye mirror ke dwara puche gaye sawal ka jawab
de diya Shaila ko itni jaldi jawab dete sun baake ke teeno ek taraf shocked bhi hue aur
saath hi khush bhi shocked issliye kyu ki jawab dene me Shaila ne ek second bhi nahi
lagaya tha aur khush issliye kyu ki unhe laga ki ye sawal shayad Shaila ne pehle bhi kahi
suna hoga aur issliye usne itni jaldi jawab de diya sab khushi khushi mirror dwara sahi
jawab sunanane ke liye betabi se mirror ko dekh hi rahe the ki tabhi mirror se awaaz gunji

Mirror:- galat jawab ek second se bhi kam samay me charon ki kushi dukh aur tension me
badal gayi teeno kabhi mirror ki taraf dekhte toh kabhi Shaila ki taraf kehte hai ki kabhi
kabhi confidence kab over confidence me badal jayepata hi nahi chalta thek aisa hi kuch
abhi hua do sawalon ke back to back jawab dene ke baad Shaila ka na sirf confidence
badha balki uss confidence ne kuch zyada hi aage badhkar over confidence ka roop le liya
tha aur ussi cover confidence me aakar bina sawal aur uske jawab ko anylize kiye Shaila
ne jawab de diya tha jiska khamiyaja uske saath saath uske doston ko bhi uthana padha
tha unke teen moukon me se ek mouka khatam ho chuka tha jahan ek taraf Shaila apni
jald baazi aur uske parinaam ki wajah se sar neeche kiye khadi thi wahi mere baaki ke
teeno dost kuch der tak toh Shaila ki taraf ghusse se dekhte rahe par fir un sab ne apna
dimag mirror ke jawab ki taraf laga diya ab bhi unke paas do mouke aur the iss sawal ka
jawab dene ke liye issliye sabhi lag gaye apne apne dimag ke ghode doudane aur sabse
pehle natije par pahunche Mokalsar bhai sahab

Mokalsar:- kawach Mokalsar ke jawab ko sun ek baar fisre baaki ke teeno ne uski taraf
dekha aur fir mirror ki taraf dekhne lage vyakul toh sabhi the par sabse zyada dari hui par
ummid kiye hui ki jawab sahi ho Shaila thi wo ek tak mirror ki taraf dekh rahi thi aur tabhi
Mirror:- galat jawab jaise hi mirror ki awaaz ne Mokalsar ko fail bataya Mokalsar ke saath
saath baaki ke teeno ko ek tez jhatka laga aur sabhi ek dusre ki taraf dekhne lage wahi
Mokalsar sabhi ki taraf dekh aakhon hi aakhon me sabhi ko sorry bol raha tha par ab sorry
bolne se kya faayda hona tha jo ho gaya so ho gaya ab mere doston ke paas bas ek hi
mouka baaki tha Shaila aur Mokalsar ne already galat jawab de diye the issliye aur ek baar
jawab dene ki un dono me bilkul bhi himmat nahi bachi thi iska matlab tha ki jo bhi jawab
ab saamne aayega ya toh wo Akshaant ki through aayega ya fir Ronit ke through dono hi
ek dusre ko dekh hi rahe the ki

Mirror:- agar agle kuch hi palon me tum sab me se kisi ne jawab nahi diya toh tumhara
teesra mouka bhi tumse chhin liya jayega mirror ki baat sun Akshaant jhat se bol pada

Akshaant:- mere dimag me abhi tak iss sawal ka jawab nahi aaya

Ronit:- mere dimag me bhi kuch khaas idea nahi aaya hai bas ek guess hai par wo kitna
sahi hai iske bare me main kuch nahi keh sakta

Akshaant:- agar humne aur vilamb kiya toh waise bhi hamara teesra avum antim kouka
humse chiin liya jayega toh isse acha hai ki jo bhi jawab tumhare mastishk me ubhra hai
wo tum bol do Akshaant ki baat Ronit ko theek lagi aur issliye

Ronit:- bhaavna yaha Ronit ne jawab diya waha baaki ke teeno ek baar firse aankhon me
ummid liye mirror ki taraf dekhne lage aur agle hi pal

Mirror:- galat jawab sahi jawab hai parchayi tum sab iss sawal ke apne teeno mouke
gawan chuke ho issliye saza ke liye tayar ho jaao mirror ki baat toh jaise mere doston ne
suni hi nahi un sab ko toh jaise yakin hi nahi ho raha tha ki unke teeno jawab galat the
bhale hi charon ne mirror ki awaaz aur uski baat nahi suni ho par jo mirror ne bola tha wo
toh hona hi tha mirror ki baat khatam hone ke agle hi pal aahhh ahh chaar dard bhari
awaaz fizaon me gunj uthi ab batane ki zaroorat toh hai nahi ki ye dard bhari cheekhen
kiski thi par batane wali baat ye thi ki jo dard iss waqt mere charon doston ko ho raha tha
wo sirf shaaririk dard nahi tha balki maansik bhi tha toh hua yun ki mirror ki awaaz ke
gunjane ke agle hi pal jis mayavi rope se mere charon dost bandhe hue the wo rope aur
tez chamakne lagi aur aisa hote hi mere doston ke pure sharir se kuch halki halki kirne
kheenchate hue uss rope ke andar samane lagi ye kirane aur kuch nahi mere doston ki
shaktiyan thi jinke kuch kan uss rope ne kheench liya tha wo shakti jo naa sirf mere doston
ke pure sharir me vaas karti thi balki unke aatma tak uss shakti se judi hui thi itne gehre
bandhan se kheenchte hue jab koi aapki shakti ko aapse door kar de toh jo dard mehsoos
ho raha hoga uss dard ki bas kalpana maatr ki jaa sakti hai shakti ke kan nikalne ki wajah
se mere dost apne ghutno par aa gaye naa sirf un sab ko aseem dard ki anubhuti ho rahi
thi balki unka dimag unhe thaka hua sa mehsoos ho raha tha jaisa ki mirror ne kaha tha
dard ki atyadhikta ki wajah se naa chahte hue bhi mere doston ke aankhon se aansu chalak
pade unhe aisa lag raha tha jaise wo sab kuch bhulte jaa rahe hain aur kuch chhodiye iss
waqt un sabko apna naam tak yaad nahi tha aur aisi haalat ko aur baddtar banane ke liye

Mirror:- chowtha sawal?

Back to hero:

shwetata par laal rang rachega aage tabhi badh payega jab iss chunouti me zinda bachega
swaans ko roke tu aage badhega apni parchayi ke dusre swaroop se dekhna hai tu kaise
ladhega? waah kya paheli hai? paheli ko dohrane ke baad jaise hi maine apne kadam aage
badhaye

Main:- oh toh iss shwetata ki baat ho rahi thi main apne dono haath apne waist par rakh
saamne se aa rahi chiz ko apni taraf aate hue dekhne laga jo ki aur kuch nahi balki ek badi
si leher uthaye mujhe roundne ke irade se meri taraf aa rahi paani thi wo paani jo iss waqt
ek samandar ka roop ikhtiyar kiye hue thi itna hi nahi mere aas paas ka mahoul aur nazara
bhi ab puri tarike se badal chuka tha jahan kuch der pehle tak main ek khuli hui jagah par
khada tha wahi ab main ek sukhe hue samandar ke bhaag me khada tha par bohat hi jald
wo sukha hua jagah wapas bhare hue samandar me badalne wala tha agar main chahta
toh hawa me uth uss bhayankar lehar se upar uth sakta tha par maine aisa kuch nahi kiya
wo paani ka leher ab mere behad kareeb aa chuka tha aur jaise hi wo paani ka leher mujhe
chhune ko huamaine apne dono pair zamin par dhasa se diye aur agle hi pal chissshhh ek
bohat hi tez awaaz hui iss tez awaaz ka kaaran sirf ye nahi tha ki wo paani ki laher mujhse
takrayi thi balki iss awaaz ka reason tha ki leher ke mujhse takrane ke baawjud main apni
jagah se hila tak nahi aur issi wajah se leher mujhse takrane ke baad mere dono side se
hoti hi cross ho gayi par shayad mujhe hila tak naa paana uss paani ke maaya ko acha nahi
laga issliye uss leher ke piche aane wali paani ne bhi bohat bade leher ka roop le liya aur
sidhe aakar mujhse takrayi par natija wahi nikla main halka sa bhi piche nahi hua par iss
baar ek chiz badal gayi thi kyu ki ab wo samandar ka sukha area lalalab paani se bhar
chuka thaissliye main paani ke kayi feet andar jaa chuka tha ab paani ke neeche toh
mujhse koi leher takraane se rahi issliye mera sharir paani ke satah se upar uthne laga par
tabhi

Main:- lo shwetata par laal rang chadhne laga paheli ka pehla bhaag pura ho chuka tha
kaise? to wo aise ki shwetata jiska matlab paani tha ab wo paani dheere dheere laal rang
me badalne laga tha ye laal rang khoon ka nahi tha balki Asmodeus ki black energy ka tha
par uss black energy ke laal hone ka reason wo paani tha jiske andar main iss waqt thajo
ki asal me Asmodeus ki angels ki shakti se jise hum white energy ke naam se jante
hainuske kano se bana tha ye dono hi shaktiyan jab tak Asmodeus ke andar rehti hain tab
tak ye mix nahi hoti par ab jab iss maayajaal me Asmodeus ne in do shaktiyon ko bahar
chhod diya tha toh white energy jo ki Asmodeus ke sharir ko bahar se gherti hai usne
shweth paani ka roop le liya par uske andar ki black energy ne jaise hi yaha aane ki wajah
se uski sweth energy ko chuatoh usse apni taakat se black karne ki koshish karne lagi par
white energy iske liye tayar nahi thi aur koi waqt hota toh ye dono shaktiyan ek dusre se
hi ladne lagti par kyu ki abhi unka sabse bada dushman main hun issliye unhone aapas me
ek sandhi kar liya natija dono hi ek dusre se mix hokar ek naye colour me joki laal tha
usme convert ho gayi ab tak main paani ke jis chhor par khada tha uss jagah ko chhod
pura paani laal rang me badal chuka tha jiski wajah se jis paani ke andar kuch der pehle
tak saaf saaf dikh raha tha ab waha laal rang ke kuch nahi dikh raha tha aur ek baat thi jo
ajeeb bhi thi aur khatarnaak bhi aur wo ye ki paani ke andar bhi main har chiz smell kar
sakta hun par black aur white energies ke saath milne ki wajah se jo ye laal rang ke paani
ke roop me jo naya parivartan mere saamne aaya thauski wajah se main ab kuch bhi smell
nahi kar paa raha tha aur ye bohat khatarknaak baat thi iss baat ka arth ye tha ki uss laal
paani me aise kan the ya fir ye kahu ki aise shield the jo mujhe kuch bhi mehsoos karne
se rok rahe the aur saath hi mujhe challenge bhi kar rahe the ki main uss laal paani ko
smell kar aage jo hone wala hai usse mehsoos karun par aisa karte hi wo laal paani numa
shakti mere senses ko kamzor kar sakti thi jise mujhe aage badhne aur apni chunouti ko
paar karne me bohat taklif hoti ek baat aur thi ki ab tak har jagah par uss laal paani ne
apna kabza bana liya tha bas uss jagah ko chhodkar jahan iss waqt main khada tha iska
matlab tha ki wo paani chahti thi ki main khud aage badhun aur uss laal paani ko touch
karun aur iske siwa ab mere paas koi chaara bhi nahi tha kyu ki aisa kare bina naahi main
aage badh sakta tha aur naahi iss chunouti ko paar kar sakta tha aur iska matlab tha ki
paheli ke dusre charan jisme likha hua tha ki "swaans roke tu aage badhega" ke shuru
hone ka time aa gaya tha aur issliye

Main:- lets go ek pushek jhatka aur issike saath main apni saans roke aage ki taraf tairte
hue badhne laga mujhe saamne kuch dikh nahi raha tha aur naahi hai apni divya drishti
ka prayog mujh par aakraman hone se pehle kar sakta tha mere tairne ki speed bohat
zyada thi dikh toh kuch raha nahi tha issliye maine apni aakhen band rakhi hui thi main
soch hi raha tha ki aage kya hone wala hoga ki achanak boomm ek tez dhamaka hua
dhamake ke impact se mera sharir jo lagatar tez gati se aage badh raha thamujhe halka
jhatka laga aur paani ke ulte force ki wajah se main piche ki taraf fenkata chala gaya par
jaldi hi maine khudko sambhal liya jise mera sharir ek jagah par ruk gaya toh hua ye ki
aage badhte hue acahanak mere kaano me paani ke bulbulon ki halki si awaaz ubhri jo ki
mere saamne se aayi thi uss awaaz ke ubharte hi maine apne sharir ko ek jhatke me rok
liya aur tabhi mere aage ki jagah par ek tez dhamaka hua agar maine khudko aage tairne
se roka nahi hota toh uss dhamake ki chapet me aa chuka hota par phir bhi uss dhamake
ke impact ke wajah se mera sharir kuch piche ki taraf tairta chala gaya tha abhi abhi hue
dhamake se ek baat toh clear ho chuki thi ki meri chunouti ka waqt ya fir ye kahu ki paheli
ki aakhri bhaag jisme kaha gaya tha ki apni parchayi ke dusre swaroop se dekhna hai tu
kaise ladhega? ke pure hone ka waqt aa gaya hai apne aap ko aane wali chunouti ke liye
tayar karte waqt do aur cheezen thi jo mere dimag me chal rahi thi pehli ye ki jab mere
kaano me uss paani ke bulbule ki awaaz gunjiussi waqt maine apni band ki hui aakhen
khol di thi aur jaise hi dhamaka hua toh uss dhamake ke impact ki wajah se uske aas paas
aur peeche ka paani kuch der ke liye tittar bittar ho gaya tha aur issi douran mujhe paani
ke piche ki taraf zameen nazar aayi thi wahi zameen jisme main iss chunouti ya fir ye kahu
ki paani ke bharne se pehle khada tha jise main samjh gaya tha ki ye jo maaya hai uska koi
daayra nahi hai aur main jo lagatar tair raha thatab bhi main uss maaya ki wajah se aage
badhne ke bajaye ussi jagah par gol gol ghum raha tha dusri ye ki jab wo dhamaka hua
toh uss dhamake wali jagah se mujhe ek bohat taakatwar energy ka abhaas hua tha kuch
aisi hi energy jo mujhme thi aur ye koi choti baat nahi thi aur uss energy ko main ab bhi
main ussi jagah par mehsoos kar sakta tha main iss bare me soch hi raha tha ki tabhi zyada
mat socho Vikram tumhare har sawal ka jawab mere saamne aate hi tumhe mil jayega ye
aawaz ussi dhamake wali jagah se aayi thi jiske mere kaano me gunjte hi main chonka
reason ye awaaz aur kisi ki nahi meri hi thi main kuch kehne hi wala tha ki tabhi uss
dhamake wali jagah par laal rang ke paani ke beech ek kaali aakruti banane lagi aur jaise
jaise uss aakruti ne roop lena shuru kiya meri saari shankaye doubts clear hoti chali gayi
kuch hi seconds me mere saamne ki aakruti ne roop le liya tha aur jo roop mere saamne
tha usse dekhte hi mujhe paheli ka aakhri bhaag ka matlab clear ho gaya kyu ki jo roop
mere saamne tha wo aur kisi ka nahi balki mera hi tha bas ek fark tha ek aisa fark jo uss
paheli ne bataya tha aur jo fark mere astitv ki neev hai jahan main ek angel hun wahi mere
saamne khada mera hi roop dhara wo maayavi shaksh ek devil do baatein aur clear ho
gayi thi pehli mere iss laal paani ko khudke iccha se chute hi iss paani ne meri shaktiyon
ko khudme copy kar liya aur uss shakti ko uss maayavi Vikram me transfer kar diya jo iss
waqt mere saamne tha aur issliye hi mujhe uss dhamake wali jagah se mere hi jaisi energy
ka abhaas ho raha tha ab main samjh raha tha ki Asmodeus ne khudki dono energies ke
kanon ko kyu azaad chhoda kyu ki Asmodeus janta tha ki sirf uski hi energies ke kaano ke
andar meri shaktiyon ko copy karne ki shamata hai Asmodeus ye bhi janta tha ki real world
me meri shaktiyon ko copy karne ke baawjud koi faayda nahi hota kyu ki main apni
shaktiyon se bhi zyada shaktishaaali hun kyu ki mujhme lord of engels ki urja hai jise main
apni baaki ki shaktiyon ko hara sakta hun issliye usne iss kaam ko anjaam dene ke liye iss
maaya jaal ko buna kyu ki wo ye janta tha ki iss maayajaal me main apni Lord of Angels ki
urja ka istemal nahi kar sakta kyu ki mere aisa karte hi uska maaya jaal tut jayega aur saath
hi khatam ho jayega pura Mirror World aur dusri ye ki iss chunouti ko pura karne ke liye
mujhe mujhi ko harana hoga kaash jo roop maine ikhtiyar kiya hai wo tumhari asliyat hoti
toh aaj tum aur Asmodeus ek saath milkar iss bramhaand par raaj kar rahe hote mere
saamne khade mere black energy ke roop ke mouh se ye baat nikli jise sunkar mere chehre
par smile aa gayi

Main:- raaj toh hum dono bhaiyon ka ab bhi hai iss bramhaand ke har kone me uski bhi
energy waas karti hai aur meri bhi aur rahi baat hum dono bhaiyon ke saath hone ki toh
hum dono toh humesha saath hi hain thek nadi ke un do kinaron ki tarah jo hamesha
saath saath hi rehti hai par kabhi ek nahi ho sakti

Clone:- bilkul ho sakti hai aur uska tarika hai mera ye roop jise agar tum apna lo toh dono
kinare ek ho jayenge

Main:- iss baat ko ghuma dete hain naa Asmodoeus bhi toh mera roop mera tarika ikhtiyar
kar sakta hai aur yahi sahi bhi hoga kyu ki uske ragon me behta black energy mere ragon
me behte white energy se hi toh bana hai

Clone:- main janta tha ki tumhara aisa hi kuch jawab hoga

Main:- phir bhi bewakufon ki tarah apna paksh rakhne lage mujhe afsos ho raha hai ki tum
mera roop ho meri taakat ko toh copy kar liya par mere dimag aur uski soch ko nahi tumhe
khud ko upgrade karne ki zaroorat hai bacche

Clone:- tum bhul rahe ho ki mere andar tumhari saari shaktiyan hain par saath hi mere
andar black energy ka bhi bhandaar hai kisse upgrade hone ki zaroorat haiye kuch hi der
me tumhe pata chal jayega Clone ki baat sun main halka sa muskura diya aur agle hi pal
shmmm shmm Clone ne mere upar ek saath kayi saare agni astra chhode aur ye astra
usne apne haathon se nahi balki apni aankhon se chhode the par main toh issi ke intezar
me tha jaisa ki maine bataya tha ki aakraman karne ke liye main pehle se naa toh koi astra
ka istemal kar sakta tha aur naahi koi spell uccharit kar sakta tha par khudko defend karne
ke liye main kuch bhi kar sakta tha aur ab uska samay aa gaya tha jo agni astra tezi se meri
taraf badh rahe themain unhe ek tak dekhne laga mere aisa karne se wo agni astra apna
roop badalne lage jahan abhi tak wo ek bhaale ke roop me meri taraf badh rahe the wahi
ab unhone ek dusre se judkar khudko ek circle ka aakar dena shuru kar diya tha ya fir ye
kahu ki maine unko uss aakar me badal diya tha mere paas aate aate naa sirf un agni
astron ne puri tarah se ek bade se circle ka roop le liya tha balki unki raftaar bhi kafi kam
ho gayi thi aur jaise hi wo aag ke circles mujhe chhune ko huemain t urant neeche ho gaya
mere neeche hote hi wo circles mere sar ke upar se hote hue mujhe cross karne lage par
isse pehle ki wo mujhe cross karte main jhat se wapas upar uth gaya mere upar uthte hi
ab mera sar uss circle ke baach me tha circle ke beech me aane ke baad maine uss aag ke
circle ko rok diya wahi mera Clone jo meri chaal ko samjhne ki koshish kar raha thaus aag
ke circle ke rukne ke agle hi pal usse sab samjh me aa gaya toh hua ye ki uss aag ke circle
ko rokne ke baad main uss circle ko apne charon taraf ek bade se maala ki tarah lapete
hue aage badhne laga mere aage badhte hi wo aag ka circle bhi bina mujhe chue mujhe
charon taraf se ghere hue aage badh gaya mera negative roop dhaaran kiye hue mera
Clone meri chaal samjh gaya tha wo jaan gaya tha ki maine uski prahar ko ussike taraf
mod diya hai aur saath saath wo meri neeti ko bhi samjh gaya tha wo samjh gaya tha ki
kyu ki main abhi ussike chhode hue astra ke ghere me hunissliye filhal wo mujhpar koi
dusra waar nahi kar sakta kyu ki uska kiya har waar uss aag ke ghere ko chukar ussime
sama jayega aur issliye usne apna haath aage kiya uske aisa karte hi uske haathon se ek
neeli rang ki ray nikli aur meri rataf badh gayi ye ray uss aag ke circle ko bujhane ke liye
thi jo mujhe ghere hue chal rahi thi wo neeli ray tezi se meri taraf lapki aur agle hi pal
dhapp ye awaaz aur kisi ki nahi balki mere hi negative roop ke body se aayi thi reason
neeli ray ke aag ke circle se takrane se mere aas paas ek tez prakash fail gaya ye tez
prakash uss nili ray ke mere aag ke circle se takrakar usse khatam hone se nahi hua tha
balki nili ray aur aag ke circle ke chuwan se bane ek nayi ray jo ki ek kism ka astra thauski
wajah se hua tha darasal jis aag ke circle ne mujhe ghera hua thaus ghere ke andar ki taraf
par maine apni shakti ki kuch urja ko lapet diya tha neeli ray ke aag ke circle ke takrane
par meri shakti se bani urja activate ho gayi aur uss aag ke ghere ko cheerte hue wo shakti
urja mere negative roop ke chhode gaye neeli ray se takrayi jise mere har taraf prakash
fail gaya par wo prakash ka daayra tezi se aur zyada badhne laga mere negative roop ko
laga ki ye sab bas shaktiyon ke aapas me takrane ki wajah se ho raha hai aur yahi wo dhoka
khaa gaya wo prakash ka daayra jo ki asal me ek faans astra thawo badhta hua aage
badhta gaya aur jaise hi uss prakash ne mere negative roop ko chhua thaap ki awaaz ke
saath usse ek jhatka laga aur isse pehle ki wo kuch samjhtaus prakash ne jo ki ek faasn
astra the usne usse khudme lapet liya ab mera negative roop ek adrishya bandhan me
bandha hua tha par mujhe maalum tha ki iss bandhan ko todna uske liye koi badi baat
nahi thi issliye isse pehle ki mera negative roop uss bandhan se khudko azaad karne ke
liye koi spell bole bandhyam svazakti imprison own energy maine iss spell ko uccharit kiya
aur agle hi pal vimukti release ye spell mere negative roop ne bola tha uske spell bolte hi
wo adrishya bandhan jisne usse baandha hua tha wo wapas khulne lagi par tabhi meri
spell ne apna kaam karna shuru kar diya jaise hi wo bandhan khulne lagi mere spell ne
wapas uss bandhan ko dhakka dekar wapas mere negative roop ko baandh diya ye sab
dekh ek pal ke liye mera Clone shocked ho gaya par agle hi pal uske chehre par ek kutil
muskaan naach gayi

Clone:- waah kya baat hai? apni shakti se jo ki iss waqt mere bhi andar haiussise mere har
taraf ek jail bana diya par teri ye chaal mujhse kahi zyada teri liye nuksaan daayi hai kyu
ki thek jaise main iss ghere me kaid hun tu bhi iss mayavi paani me kaid hai aur ek baat
tujhe bata dun jis maayavi paani me tu iss waqt khada hai wo teri chunoutiyon ki aakhri
sidhi hai par afsostu kabhi iss chunouti ko paar hi nahi kar payega aur hamesha ke liye
mere saath iss paani ki anthi n duniya me khokar reh jayega yaha se nikalne ke liye tujhe
mujhe maarna hoga par tu aisa nahi kar sakta kyu ki mujhme teri jitni hi shakti hai agar
main mar sakta hun toh bas uss urja se jo ki tere andar hai par jaise hi tune uss urja ko
bahar nikalatoh uska sparsh iss laal paani se ho jayega aur aisa hote hi tu ye chunouti haar
jayega hahaha apni baat keh mera negative roop zor zor se hasne laga hahaha ye hasi
mere negative roop ki nahi balki meri thi jise sun Clone ki naa sirf hasi ruk gayi balki wo
aascharyachakit hokar mujhe dekhne laga

Main:- tujhe meri shakti toh mil gayi par dimag ka kya? mera dimag na toh tu copy kar
sakta hai aur naa tera rachaita aur raha sawal mere yaha se bahar nikalne ka toh aise
chote mote chakravyuh se bhi agar main bahar nahi nikal paya toh laanat hai mujh par
apni baat keh main aage nikal gaya kyu ki wo jail maine banaya thatoh uske andar jana
mere liye koi badi baat nahi thi main bina kisi mushkil ke uss adrishya jail ke andar chala
gaya aur thek mere Clone ke saamne jaakar khada ho gaya jahan mere chehre par
muskaan thi wahi mera Clone ye samjhne ki koshish kar raha tha ki main kya karne wala
hun?

Main:- zyada mat soch jo bhi hoga wo hote hi tujhe pata chal jayega apne aap ko mere
saamne lane se pehle jo dialouge mere negative roop ne bola thamaine bhi ussiki tarah ki
baat usse kahi aur isse pehle ki mera Clone kuch kehta ya fir react karta main aage badha
aur jhat se apne Clone ke gale lag gaya ye koi normal hug nahi tha maine apni puri taakat
se usse gale lagaya tha aur koi hota toh meri giraft ki wajah se kab ka mar gaya hota par
kyu ki saamne wale bande ke andar meri hi shaktiyan thi issliye usse kuch khaas fark nahi
pada par mujhe khudko yun zor se gale lagata dekh wo khudko mujhse chhudane ki
koshish karne laga par meri shakti aur saath saath uss adhrishya bandhan ki wajah se wo
kaamiyab nahi ho paya aur tabhi vimukti release enter pravizati jo spell kuch der pehle
mere Clone ne kaha tha wo ab maine kaha aur mere spell ke uccharit karte hi nahiii
boomm pehli awaaz ya fir ye kahu ki wo cheekh mere giraft me chatpata rahe mere
negative roop mere Clone ki thi toh hua ye ki mere spell uccharit karte hi mere body se
meri Lord of Angels ki urja bahar nikli par kyu ki iss waqt main apne Clone ke body se sata
hua tha issliye uss urja ka sparsh laal paani se nahi hua meri urja mujhse chipke khade
mere Clone ki body ko chune lagi aur tabhi maine pravizati ka spell bola jise meri urja
sidhe mere Clone ke andar ghus gayi ab meri urja toh koi white energy ka dhaarak bhi ek
second ke liye tak nahi jhel sakta toh fir mere ssamne wala toh black energy ka dhaarak
tha mere urja ke uske sharir ke andar ghuste hi ek tez dhamaka hua aur fir sab shaant uss
dhamake ke saath pehli chiz ka ant ho gaya aur dusri chiz apne ant ko lapet rahi thi pehli
chiz matlab mera negative roop jo ab khatam ho chuka tha aur uske khatam hote hi meri
urja wapas mere andar sama gayi kyu ki mere negative roop ko maarkar maine apni
chunouti ko pura kar liya tha issliye meri urja ke laal paani ko chune ke baawjud kuch nahi
hua dusri cheez matlab wo laal paani jo ab tezi se wapas khud ko sockh rahi thi kuch hi
palon me uss laal paani ne khudko puri tarah se sokhte hue wapas mujhe ussi jagah par
laakar khada kar diya jahan main iss chunouti ke shuru hone se pehle khada tha chunouti
ko paar kar uss maayavi samandar se nikal maine chain ki saans li hi thi ki tabhi mujhse
kuch door par ek roshni chamki aur uske dusre hi pal waha kuch ban gaya jise dekh mere
chehre par muskaan naach gayi main chalte hue uss jagah pahunch gaya jahan abhi abhi
kuch bana tha jo roshni chamki thi aur usse jo chiz bani thi wo aur kuch nahi balki ek magic
door tha jiske dusri taraf ek chiz dikh rahi thi jise dekhkar mere chehre par muskaan aa
gayi thi main chalte hue uss magic door ke dusri taraf aa gaya mere dusri taraf aate hi wo
magic door band ho gaya main abhi bhi ek tak uss chiz dekh raha tha kuch der tak usse
dekhne ke baad mere honth hile

Main:- finally meri sword mere saamne hai

Back to Friends:

Choutha sawal:- aisa kya hai jise tum dene ke baad bhi rakh sakte ho? mirror ne apna
choutha sawal mere doston ke saamne rakh diya tha par ye kya? mere dost toh zamin par
pade tharthara rahe the apni shakti ke kuch ansh ke nikalne ki wajah se jo asahaniya dard
unhe hua tha ab wo dard ek naa khatam hone wali thakan me badal gaya tha jiski wajah
se mere dost zamin par pade lambi lambi saanse bhi le rahe the aur tharthara bhi rahe
the charon ne khade hone ki koshish bhi khi par unke pairon ne unke sharir ke bojh ko
uthane se mana kar diya tha in sab ke beech mirror ka pucha gaya sawal sirf aadha hi un
sabke dimag me gaya aur adha unke upar se nikal chuka tha ye sab Dhanur bhi uss mayavi
parde ke through dekh rahe the chinta ki rekhayen unke chehre par saaf dekhi jaa sakti
thi wo jaan gaye the ki mere doston ne mirror ke dwara puche gey sawal ko dhang se suna
tak nahi hai toh fir jawab dena toh bohat door ki baat hai wo ye bhi jante the ki mirror
apna sawal dobara nahi dohrayegi aur agar jaldi hi mere doston ne jawab dene shuru nahi
kiye toh unke teen mouke unse chhin liye jayenge issliye

Dhanur:- main janta hun ki iss waqt tum sab ki haalat kaisi hai? khud hi ki shakti ke cheen
jane se tum sab andar tak hil gaye ho kintu aisa toh hona hi tha puraskar jitna bada hota
hai usse paane ki keemat bhi utni hi kathin hoti hai tum sab jis maksad se yaha aaye ho
agar uss maksad me kaamiyab hona hai toh utho aur apne mann ko shaant kar mirror ke
puche gaye sawal ka jawab do wo kya hai jise tum dene ke baad bhi rakh sakte ho? yahi
hai tum sab ka sawal ab apna dhayan kendrit karo taaki iss sawal ke jawab ko de sako
Dhanur ki baat sun mere doston ko mirror ka pucha sawal jsika aadha hissa un sab ke sar
ke upar se nikal gaya tha wo ab clear ho gaya tha par ab bhi wo iss condition me nahi the
ki apne mann ko shaant kar iss sawal ka jawab dhund saken ye sab dekh Dhanur ek baar
firse kuch kehne hi wale the ki

Mirror:- baar baar bataye jane ke baawajud tum sab har prashn ke uttar ko dene me bohat
zyada vilamb kar rahe ho issliye ab tum sabko tumhare har mouke ka upyog karne ke liye
kewal 60 pal milenge agar 60 palon me bhi tumne jawab nahi diya toh tumhara wo mouka
radh ho jayega aur agle mouke ke 60 pal shuru ho jayenge iss sawal ke tumhare pehle
mouke ke liye tum sabne atyadhik samay le liya hai issliye tumhara pehla mouka radh kiya
jata hai ab tumhare dusre mouke ke 60 pal shuru hote hain ab ye ek naya niyam laagu ho
gaya tha jo kahi na kahi sahi bhi tha mirror ke lagatar aagah karne ke baawajud mere dost
bohat zyada waqt le rahe the aise me mirror ka koi naya aur kada niyam banana toh banta
hi tha jaisa ke mirror ne bataya ki un sab ke pehla mouka khatam ho chuka tha aur ab bas
do mouke bache the mirror ke ghoshna ke baad se hi Dhanur lagatar mere doston ko
sawal ko samjhne aur jawab dene ke liye protsahit kar rahe the mere dost bhi ab iss time
limit me apne dimag ke jitne ghode dauda sakte the wo sab douda rahe the par unhe
mirror ke sawal ka koi jawab sujh hi nahi raha tha aur tabhi

Mirror:- dusre mouke 60 pal samapt hue tum sabke teesre aur ab aakhri mouke ke 60 pal
shuru hote hai mirror ki awaaz aur baat sun mere doston ko ek jhatka laga jo thakawat
aur kamzori wo sab mehsoos kar rahe the wo ek jhatke me gaayab ho gayi aisa hone ki do
wajah thi pehli toh yahi ki wo sab bina koi jawab diye haarna nahi chahte the aur dusri
wajah thi dar dobara uss dard se guzarne ka jise wo sab abhi abhi guzre the mere charon
dost tezi se apne dimag ke ghode doudate hue mirror ke sawal ke jawab ko talashne ki
koshish kar hi rahe the ki tabhi Ronit ke dimag ke me jaise ek bijli si koundhi par isse pehle
ki wo kuch kehta

Mokalsar:- jawab hai khushi Ronit se pehle Mokalsar ne jawab de diya par Mokalsar ke
mouh se jawab sun jahan ek taraf Akshaant aur Shaila ummid lagaya mirror ki taraf
dekhne lage wahi Ronit ne apna maatha peet liya hamesha ki tarah Mokalsar ke jawab
dene ke baad kuch der tak khamoshi rahi aur fir

Mirror:- galat jawab sahi jawab hai vachan jahan mirror ke dwara galat jawab sun
Akshaant Mokalsar aur Shaila nirash ho gaye the wahi sahi jawab sun teeno shocked ho
gaye reason ye jawab mirror ne nahi Ronit ne diya tha aur jawab dene ke baad afsos wali
nazro se mere doston ki taraf dekh raha tha

Ronit:- agar aapko kisi faisle se taklif ho par fir bhi saamne wali ki khushi ke liye aap uss
faisle ko maan jaye toh wo khushi aap sirf saamne wale ko hi de sakte hain khud nahi rakh
sakte aise me khushi kaise jawab hua?

Mirror:- jabki vachan hi ek aisi chiz hai jise aap dete toh saamne wale ko ho par wo rehti
aap hi ke paas hai Ronit ki baat ko mirror ne pura kiya

Akshaant:- jab tumhe jawab pata tha toh bola kyu nahi

Ronit:- jaise hi mere dimag me ye jawab aaya thek ussi waqt Mokalsar ne bina vichar
vimarsh kiye jawab de diya Ronit ki baat sun Mokalsar ka sar neeche ho gaya

Mokalsar:- mujhe maaf kar do mujhe sayam ahhh Mokalsar ki baat puri hoti usse pehle hi
uske saath saath baaki ke teeno ki bhi dard bhari cheekh har taraf gunj uthi uss maayavi
rope ne jisne mere doston ko lapet rakha tha usne apna kaam kar diya tha ab mere doston
ki shakti ka aadha bhaag uss rope ne unse kheench liya tha iss baar dard itna zyada tha ki
mere charon dost uss dard ko naa jhel pakar behosh ho gaye par ye behoshi me milne
wali chain bhi mere doston ke nasib me nahi thi kyu ki unke behosh hote hi rope se ek
current nikli jiske mere doston par padte hi charon ko ek jhatke me hosh aa gaya iss waqt
dard ki lakeeren mere doston ke chahre par saaf dekhi jaa sakti thi par wahain mere
doston ko sab kuch dhundala dhundala sa dikh raha tha wo charon bohat zor zor se saanse
le rahe the maano milon lambi doud lagakar aaye hon aur aise me mere doston par zara
sa bhi rehem naa dikaha te hue

Mirror:- paanchva sawal wo kya hai? jo andha bhi hai behera bhi hai aur gunga bhi hai par
bolta hamesha sach hai iss antim sawal ke pehle mouke ke 60 pal shuru hote hain ab pichli
baar toh mere doston ne kamse kam sawal ka aadha hissa suna bhi tha par iss baar un sab
ki haalat itni zyada kharab thi ki mirror dwara pucha gaya aakhri sawal ka koi bhi bhaag
unke kaano tak jaise pahuncha hi nahi tha sabhi apni bachi hui shakti ko samet kar khud
ko kaabu me karne ki koshish kar rahe the aur insab ke beech unke pehle mouke ke liye
diye gaye 60 pal nikalte jaa rahe the aur iss baat se Dhanur awgat bhi the aur pareshaan
bhi wo iss baat ka bhi andaza ho gaya tha ki mere doston ne apne iss budhi manthan ke
chunouti ka aakhri sawal jispar un charon ki puri niyati nirbhar hai wo suna tak nahi hoga
aur issliye

Dhanur:- wo kya hai jo andha bhi hai behera bhi hai aur gunga bhi hai par bolta hamesha
sach hai Dhanur ne iss paheli ko lagatar do baar dohraya iske alawa unhone kuch bhi nahi
kaha kyu ki wo jante the ki iss waqt koi bhi motivational baat mere doston par kuch khaas
asar nahi karegi wahi mere dost jo ki apne aap ko sambhalne me lage hue the unhe bhi
abhaas ho gaya tha ki mirror ne apna aakhri sawal bol diya hai jo unhone nahi suna aur
iss vichar ke mann main ubharte hi sabhi ghabra se gaye the wo jante the ki iss antim
sawal par unki zindagi tiki hui hai kya kare kya naa kare issi gutthi ko wo charon suljhaane
ki koshish kar hi rahe the ki itne me un sab ke kaano me Dhanur ki tez awaaz gunji jisme
unhone paheli dohraayi thi paheli ke dobara kaano me padte hi sabhi ke chehron par
rahat ke bhaav aaye par ye rahat shanik hi thi ab paheli toh sabne sunli thi par suljhana
abhi baaki tha aur ye aasan nahi hone wala tha par fir bhi charon ne kisi tarah khudko
andar se mazboot kar paheli ke jawab ke bare me sochna shuru hi kiya tha ki

Mirror:- pehle mouke ke 60 pal samapt hue ab dusre mouke ke 60 pal shuru hote hain
charon ne khudko andar se mazboot banakar paheli ka answer dene ke liye focus kiya hi
tha ki mirror se nikli awaaz sunkar charon ke manobal ek baar firse gir gaye ye baat parde
par Dhanur ne bhi notice ki thi issliye

Dhanur:- ye mat socho ki ek mouka chala gaya ye socho ki ab bhi tum sab ke paas do aur
mouke hain jinka matlab hai do zindagi in do zindagiyon ke beech tum sab ka bhavishya
latak raha hai ab afsos karna chhodo aur in baaki ke bache do mouko ka pura laabh uthao
Dhanur ki baaton se aur waqt ke fisalte lamho ki ehmiyat samjh kar mere charon dost ek
baar firse khudme confidence bhar paheli ke answer ke bare me sochne lag gaye par har
beetate waqt ke saath saath mere doston ka confidence wapas girne laga tha abhi unsab
ko sochte hue kuch hi pal guzre the ki

Mirror:- dusre mouke ke 60 pal samapt hue ab teesre avum antim mouke ke 60 pal shuru
hote hain ek baar fir ye awaaz har taraf gunj uthi par iss awaaz ke gunjte hi mere doston
ke dilon ki dhadkan maano ruk si gayi jahan ek taraf Shaila Mokalsar aur Akshaant ne toh
jaise ummid hi chhod di thi wahi Ronit dusre mouke ke khatam hone ki baat sunkar bhi
sochne me laga hua haarne ke dar se tension lene ka koi faayda nahi hai yahi soch ko apna
mulmantra bana kar Ronit paheli ko sujhaane me laga raha par kareeb 40 seconds nikalne
ke baad bhi jab Ronit kisi natije par nahi pahuncha toh uska confidence ladkhadane laga
wahi Shaila Mokalsar aur Akshaant toh pehle hi haar maan chuke the

Shaila:- itne saare prati dwandiyon ko haraane ke baad maine kabhi nahi socha tha ki ek
din main ek aayine ek darpan se haar jaaungi Shaila ki baat par koi apni pratikriya deta ki
tabhi

Mirror:- antim 10 pal shesh hain mirror ki awaaz gunjte hi sabhi ko ek jhatka laga par iss
jhatke ke kaaran do hisso me bate hue the ek hissa tha Shaila Mokalsar aur Akshaant ka
jinhe jhatka mirror ki kahi gayi baat se laga tha wahi dusre hisse me akela Ronit tha jise
jhatka lagne ka kaaran mirror ki kahi gayi baat nahi balki Shaila ki kahi gayi baat thi reason
aayiye khud jaan lijiye

Ronit:- arre ye mere dimag me pehle kyu nahi aaya thank u Shaila anjane me hi sahi jawab
toh tumne khudhi de diya Ronit ki baat kisi ko samjh me nahi aayi par abhi Ronit ko un
sab ko explain karne ka waqt nahi tha issliye

Ronit:- jawab hai darpanaaiyna mirror darpan naahi dekh sakta na hi bol sakta hai aur naa
hi sun sakta hai par fir bhi hamesha sach bolta hai Ronit ki baat sun mere baaki ke teeno
doston ko shock laga ussi shocking expression ko carry karte hue un teeno ne pehle Ronit
ko dekha aur uske un teeno ki nazren mirror ki taraf palat gayi wahi hamesha ki tarah
Ronit ke jawab dene ke baad hamesha ki tarah kuch der tak khamoshi chaayi rahi aur uske
baad

Mirror:- sahi jawab chunouti purn hui mirror ki baat sunkar mere doston ke mann main
khushi ki leher doud gayi teeno prashanshniya bhaav liye Ronit ko dekhne lage par tabhi
ahhh ahhh ye awaaz bhi mere doston ke mouh se hi nikli thi par iss baar ye cheekh nahi
bas ek halki si awaaz thi aur reason jo shaktiyan mirror ne mere doston ki jo shaktiyan uss
mayavi rope ke maadhyam se kheench li thi usse usne ussi rope ke maadhyam se mere
doston ko waapas kar di thi apni shakti ke wapas apne sharir me sancharit hone ki wajah
se mere doston ke mouh se ye awaaz nikli thi par jaise hi mere doston ki shakti unke sharir
me wapas gayi sabhi ki thakan bhi puri tarike se gaayab ho gayi wahi mere doston ko unki
shakti louta wo maayavi rope bhi gaayab ho chuki thi rope ke gaayab hote hi mere charon
dost ek dusre ke gale lag ek dusre ko badhayi de rahe the ke tabhi jahan mirror tha waha
par tez prakash fail gaya aur uss prakash ke kirano ne ek baar firse mere doston ko
kheench liya aur kuch hi der me mere dost ek nayi jagah par khade the ye jagah ek khaali
hall jaisa tha jiske dono side me 22 rooms bane hue the pehle toh mere doston ki nazar
uss hall me hi ghumti rahi par jaise hi unki nazar ghumte hue un chaar rooms me gayitoh
charon chonk gaye reason har room ke upar mere ek ek dost ka naam likha hua tha par
saath hi ussi naam ke upar har room me do common words likhe hue the aur wo do words
the antim chunouti kuch der aur sabr kar le tujhe teri manzil tak zaroor pahuncha dunga
maine apne seene ke upar halka sehlaate hue apni baat kahi kyu? kuch der me aapko pata
chal jayega khair main magic door ke dusri taraf toh aa gaya thapar abhi tak maine apne
kadam apne sword ki taraf nahi badhaye the sword iss waqt mujhse kuch door ek diwal
par tangi hui thi aur main janta tha ki talwar par mere haathon ka sparsh hote hi kya hone
wala hai Asmodeus ke banayi jis maayavi duniya ke chunoutiyon ko maine paar kiya tha
wo uss chunouti ke saamne kuch nahi thi jiska saamna mujhe ab karna tha par iss chunouti
ko paar karne ke alawa mere paas aur kuch chaara bhi nahi tha ek lambi saans chhodte
hue maine apne kadam aage badhaye aur tabhi mere kadam aage badhate hi talwar tez
chamakne lagi aur thek waisa hi prakash mere seene ke beech bhi hone laga par maine in
sab chizon par dhayan naa dete hue aage badhne laga aur chalte hue thek meri sword ke
saamne pahunch gaya ek pal sword ko dekhne ke baad mere haath usse sparsh karne ke
liye aage badh gaye aur jaise hi mere haathon ka sparsh sword se hua jo roshni sword se
aa rahi thi wo aur tez ho gayi aur ussi roshni ki aad lete hue sword gayab ho gayi sword
ka gaayab hona hi wo baat thi jiske bare me maine kuch der pehle kaha tha main janta
tha ki mere sparsh karte hi sword gayab ho jayegi aur jo baat nahi pata thi wo bhi sword
ko sparsh karte hi pata chal gayi thi kya? ye bhi kuch der me aapko pata chal jayega par
mujhpar uss tez roshni ka koi asar nahi hua tha maine sword ko gaayab hote hue dekha
tha aur sword ke gayab hone ke baad bhi uski energy main mehsoos kar paar raha tha
issliye sword ke gayab hone ke agle hi pal main bhi uski energy ko follow karte hue gayab
ho gaya kaal paash wo bandhan jise Agrasena bandhe hue the uss bandhan me hone ke
baad se aaj pehli baar tha jab Agrasena ke chehre par muskaan thi aur uss muskaan ki
wajah thi unki sword jo iss waqt unke saamne hawa me tair rahi thi kuch der tak hawa me
tairne ke baad wo sword Agrasena ke thek saaamne aakar khadi ho gayi aur agle hi pal
sword se ek tez beam nikli jiske kaal paash ke bandhan par padte hi wo bandhan ek jhatke
me toot gaya aur aisa hote hi Agrasena azaad ho gaye azaad hote hi Agrasena ne apne
haath aage kiye aur agle hi pal sword tezi se aage badhi aur Agrasena ke haathon me aa
gayi sword ko sparsh karte hi Agrsaena ki shakti 1000 guna tak badh gayi thi unke chehre
par wahi tej lout aaya tha jo bandhan me bandhane se pehle hua karta tha Beelzebub ne
Agrasena ko chhal se unki sword se alag karke unhe haraya tha par agar wo sword ke
saath Agrasena se ladhta toh nishchit hi ek shan bhi nahi lagta usse Agrasena se haarne
me shakti ke badhne ki wajah se kaalpash me bandhe rehne ki wajah se jo kamzori
Agrasena ko mehsoos ho rahi thi wo khatam ho chuki thi jahan ek taraf sword ko dekhkar
aur wapas haasil karkar Agrasena behad khush the wahi jaise hi unhone sword ko sparsh
kiya toh wo ek pal ke liye chonk bhi gaye the par ye shock bas ek pal ke liye hi tha kyu ki
agle hi pal Agrasena ko jis baat par shock laga tha ab ussi baat par unke chehre par ek
muskaan naach gayi aur agle hi pal Agrasena ke saamne ek tez roshni fail gayi aur kuch
der baad jab wo roshni ghati toh unke saamne main khada tha yahi wo baat thi jise jaankar
Agrasena shocked hue the sword ke sparsh karte sword ne unhe mere aagaman ke bare
me bata diya tha

Agrasena:- toh aakhir kaar parmeshwar putr Lord of Angels apni amanat ko lene aa hi
gaye apni baat keh Agrasena apne ghutno par jhukne ko hue par maine aage badhkar
unhe aisa karne se rok diya

Main:- parmeshwar ke nirmaan kiye sabse amulya ratno me se ek hain aap aapko mere
aage jhukne ki koi zaroorat nahi hai ye mera soubhagya hai ki main aapke saamne khada
hun meri baat sun Agrasena ke chehre par aayi khushi double ho gayi

Agrasena:- aapne jo bhi kaha wo aapka badappan darshaata hai lord aapke saamne khada
hona hi kisi ke liye bhi bohat badi baat hai aapse bhet karne ke liye aapko aapki amanat
soumpne ke liye main najane kitni sadiyon se aapki pratiksha kar raha hun

Main:- issliye aapne iss sword ko mujhe soumpne ke liye ye shart rakkhi ki isse paane ke
liye mujhe issise aapko maarna hoga? meri baat sun Agrasena ka sar neeche jhuk gaya
unhe laga ki mujhe unka yun shart rakhna wo bhi meri hi jaagir ko mujhe soumpne ke liye
acha nahi laga aur issliye

Agrasena:- shama kijiyega lord par aisa karna mere liye atti awashyak tha aap hi ki tarah
kisi zamane me aapka bhai Asmodeus bhi white energy ka waaris tha par badalte waqt ke
saath wo bhi badal gaya usne apni ussi white shaktiyon ka galat faayda uthate hue
khudme bramhaand ki samast kaali urja ko sametna shuru kiya aur dekhte hi dekhte wo
creature of judgement se devils lord ban gaya shakti ke iss durupi yog ki wajah se hi mujhe
ye kadam uthana pada ye sword bhale hi parmeshwar putr ke liye jo ki aap hai bani ho
kintu God ne isse mujhe soumpa tha mujhe iss sword ko sirf God ke putr ko nahi dena tha
balki usse dena tha jo God ke putr kehlane ke layak ho kaali shakti ki halki bhi milawat
uske andar naa ho aur issliye maine ye shart rakhi iss sword ke mere paas rehte mujhe
maara nahi jaa saktaiske baawajud aapko isse haasil karne ke liye issise mujhe maarna
hoga aur aisa karne ke liye

Main:- mujhe praman dena hoga ki main hi white energy ka layak aur asli waaris hun
Agrasena ki baat ko maine pura kiya jise sunkar Agrasena ne muskurate hue haan me sar
hilaya

Main:- ek aur baat bhi hai jo tumne abhi tak nahi batayi

Agrasena:- ab aapse kya chupa hai lord ek aur kaam bhi hai jo aapko iss sword ko hasil
karne se pehle karna hoga aur wo ye ki aapko apni shakti se iss sword ko neeche zamin
par girana hoga isse yakin dilana hoga ki

Main:- main isse haasil karne ke kabil hun ek baar firse maine Agrasena ki baat ko pura
kiya

Agrasena:- ji

Main:- toh fir intezar kis baat ka? shuru kare

Agrasena:- awashya aur agle hi pal

Back to friends:

ek baar firse tum sab ek dusre se alag hone wale ho uss kamre me kya haiye koi nahi janta
par waha jo bhi hoga uska saamna tum sab ko akele akele hi karna hoga jo galtiyan tum
sab ne buddhi manthan ki chunouti ke waqt ki thi unhe yaad rakhna taaki waisi koi galti
iss chunouti me naa dohraao mere dost jaise hi apne apne naam ke room ke saamne
pahunche thek tabhi unke kaano me Dhanur ki awaaz gunj uthi apne apne sar ko haan me
hilate hue mere charon doston ne ek dusre ki taraf dekha sabhi ne aakhon hi aakhon me
ek dusre ko all the best kaha aur fir sabne apna apna sar saamne room ke band darwaze
ki taraf kar liya ek lambi saans chhodte hue un charon ne apna haath aage kiya aur jaise
hi un sab ke haath ne darwaze ko chua sabhi darwaze bina koi awaaz kiye khulte chale
gaye par iss baar darwaze ke khulne ke baad bhi naa hi koi tez roshni hui aur naahi mere
doston ko andar kheencha gaya sabhi ne apne apne kadam apne apne room ke room ke
andar badha diye aur jaise hi mere charon dost apne apne room ke andar pahunche sabhi
ke aascharya ka koi thekana nahi raha wahi mere doston ke apne apne room ke andar
jaate hi Dhanur ke saamne ka parda chaar bhaagon me bat gaya jise wo ab ek saath charon
room ko dekh paa rahe the aur jaise hi Dhanur ki nazar un charon rooms par gayi
adhbhudh ye shabd sirf Dhanur ke mouh se nahi nikle the balki mere charon doston ke
mouh se bhi ye shabd room ke andar ka mahoul dekhkar hi nikal gaya tha reason Ronit jis
room me ghusa tha wo room asal me room nahi tha balki wo Vj ke ghar ka lawn tha wahi
Akshaant aur Mokalsar jin do rooms me ghuse the wo bhi koi room naa hokar un dono ke
bachpan ka gaanv tha Shaila jis room me ghusi thi wo uske bachpan ka ghar tha mere
charon dost apne apne saamne ke drishya ko aankhen faade dekh rahe the aur samjhne
ki koshish kar rahe the wahi Dhanur ko andaza ho gaya tha ki antim chunouti me zaroor
kuch maayavi aur anokha hone wala hai sabhi apni apni soch me magan the ki tabhi mere
doston ke saamne ke nazare me kuch add hua jise dekhkar jahan ek taraf Akshaant aur
Mokalsar ke chehre par muskaan naach gayi wahi dusri taraf Shaila aur Ronit ki aankhon
me dard dikhne laga reason Akshaant aur Mokalsar ke saamne iss waqt unke bachpan ke
gaavn ka ek maidan tha jahan wo khela karte the aur iss waqt ussi maidan me do bacche
prakat hue the ye bache aur koi nahi Akshaant aur Mokalsar hi the aur iss waqt wo dono
bachhe ek kapde ki banayi gendh ko paane ke liye ek dusre se ladh rahe the apne baalya
kaal aur usme ki gayi unki shararaton ko ek baar firse apne aakhon ke saamne dekh un
dono ke chehron par muskaan naach gayi wahi Shaila jiske saamne iss waqt uske bachpan
ka ghar tha achanak uss ghar ke darwaze ko kholte hue ek bacchi bahar nikli aur uss bacchi
ke peeche peeche ek aadmi bhi uska naam pukarte hue bahar aaya ye bachi aur koi nahi
Shaila hi thi aur jo aadmi uske peeche piche bahar aaye thewo Shaila ke pitah apne pitah
ko ek baar firse apne saamne dekh Shaila ki aakhen bhar aayi thi wahi chouthe room me
jahan iss waqt Ronit tha iss waqt uske saamne jo nazara tha usme bhi naye kirdaar jud
gaye the Ronit apne saamne Vj ke ghar ko dekh sitiuation ko samjhne ki koshish kar hi
raha tha ki itne me uske kaano me do aawaz gunji awaaz mere ghar ke hall se aayi thi aur
uss awaaz ke piche piche do bacche bhaagte hue mere ghar ke hall se bahar lawn ki taraf
aaye ye do bache aur koi nahi Baba Ronit aur baby Anjali the jo apne nanhe nanhe kadmo
se bhaagte hue Ronit ke saamne aakar ek jagah baith gaye baithne ke baad jahan Anjali
uske saamne rakhe phoolon ko chu chukar dekhne lagi wahi Ronit lawn ke ghaans ko
ukhad ukhad kar Anjali ke upar daalne laga apne bachpan ki iss yaad ko jise Anjali ke jane
ke baad Ronit ne apne mann ke kisi kone me daba sa diya tha wo aaj phir se bahar aa gaya
aur ye sab dekh Shaila ki hi tarah Ronit ki aakhen bhi bhar aayin jahan ek taraf mere
charon dost iss waqt apne apne saamne ke nazare me kho se gaye the wahi unse alag
Dhanur mere doston ke saamne ke nazare aur uss nazare se aaye mere doston ke chehre
ke expresions ko dekh ye samjhne ki koshish kar rahe the ki aakhir chunouti hai kya?

Ronits room:

Baby Anjali:- tu hamesha mujhe tang kyu karta rehta hai?

Baba Ronit:- aur tu jo meri shikayat har waqt meri mummy papa se karti rehti haiwo?

Baby Anjali:- haan toh tu hamesha badmAashi jo karta rehta hai

Baba Ronit:- toh usse tujhe kya? main jo chaahe karun

Baby Anjali:- fir main toh bataungi

Baba Ronit:- toh fir main bhi aisa karunga ye bol Baba Ronit jisne baby Anjali se baat karte
karte dher saari ghaans ukhad li thi wo sab ek saath Anjali ke upar fek di aur bhaag nikla
Baba Ronit ke iss harkat se baby Anjali ghussa hokar usse maarne ke liye uske piche bhaagi
wahi ye sab nazara dekh Ronit toh jaise apne purane waqt me kahi kho sa gaya tha ki tabhi
ahhh Anjali toh hua ye ki Baba Ronit ke piche bhaagti baby Anjali ka pair achanak mod
gaya jise wo gir gayi aur girte hi uske mouh se ahhh ki awaaz nikal gayi jise hamare Ronit
bhai sahab ke joki Anjali ke bachpan ke roop ko hi dekh raha tha uske mouh se Anjali ke
naam ki cheekh nikal gayi Ronit doudta hua aage badha aur jaise hi usne baby Anjali ko
uthane ke liye apna haath aage badhaya uska haath baby Anjali ke sharir ke aar paar ho
gaya par tabhi Baba Ronit joki mere ghar ke andar chala gaya tha wo bahar aaya aur usne
baby Anjali ko sahara dekar uthaya wahi baby Anjali ko naa chuune se Ronit ke chehre par
ek fiki muskaan naach gayi

Ronit:- mujhsa badnasib aur kaun hoga? asliyat me toh maine tujhe kho hi diya hai par iss
maayavi chall me bhi main tujhe chhu naa paya ye bol Ronit piche palat gaya par tabhi

Akshaant's room:

Akshaant:- ye drishya kaise badal gaya arre ye toh mere Baba hain aur inke saath ye do
bacche arre ye toh main aur Mokalsar hain Akshaant ke saamne jo maaya thi jisme iss
waqt uska gaanv ka maidan dikh raha thauska drsihya change ho chuka tha jahan kuch
der pehle tak Akshaant aur Mokalsar kapde se bani gendh se khel rahe thewo achanak
gayab ho gaye aur wahi ab achanak Akshaant ko teen log aate hue dikhe ye teeno aur koi
nahi balki Akshaant ke pita ji aur unke dono taraf se dono haath thaame Baba Mokalsar
aur Baba Akshaant the ye scene dekhkar pehle toh Akshaant chonk gaya par agle hi pal
usse jaise kuch yaad aaya
Akshaant:- ye toh wahi samay hai jab mujhe aur Mokalsar ko Baba ne yudh prashikshan
dena aarambh kiya tha Akshaant apni soch me gum hi tha ki tabhi

A/father:- bacho aaj se main tum dono ko yudh kala sikhaunga apne pitah ki awaaz sunkar
Akshaant apni soch se bahar aa gaya wahi Baba Akshaant aur Baba Mokalsar ussi baat ko
sunkar khushi se ucchalne lage un teeno ke saamne khade Akshaant ko bhi wo dour yaad
aa gaya jab wo aur Mokalsar lagatar apne pitah se un dono ko yudh kala sikhane ki zidh
kiya karte the aur fir ek din apne bacchon ki zidh ke saamne haar maan kar unhone dono
ko yudh kala sikhane ke liye haan keh diya tha Akshaant ko ehsaas ho gaya ki saamne chal
raha scene ussi waqt ka hai jab pehli baar usne aur Mokalsar ne yudh kala ki practice ki
thi Akshaant muskurate hue ussi waqt ko ek baar firse apne saamne dekh khush ho raha
tha iss waqt uske saamne uske pitah usse aur Mokalsar ko yudh kala ke basics ke bare me
bata rahe the par Akshaant aur Mokalsar apne pehle shashtra prashikshan ke liye betaab
ho rahe the fir dekhte hi dekhte Akshaant ke saamne wo waqt bhi aaya jab usne aur
Mokalsar ne pehli baar talwar uthayi thi apni un behatarin yaadon ko ek baar firse dekhkar
Akshaant ke chehre par muskurahat aa gayi thi ki tabhi

Akshaant:- arre ye toh isse zyada Akshaant kuch keh nahi paya par uski aankhon ne uske
dil ki baat ki gawahi de di thodi der pehle tak Akshaant ki jin aakhon me khushi ki chamak
thi wahi ab unhi aakhon me dard ki lakire tair rahi thi reason Akshaant ke aankhon ek
saamne chal raha scene badal chuka tha aur ab jo scene uske aankhon ke saamne tha wo
scene ya fir ye kahu ki wo yaad Akshaant ke baalya kaal ki sabse kadwi yaad thi iss waqt
Akshaant aur Mokalsar ek pahad ki choti par the aur talwar baazi ki prashikshan kar rahe
the waise toh ye scene kuch bura nahi tha par Akshaant ko maalum tha ki iske baad kya
hone wala hai aur jo hone wala tha usse hi ek baar firse mehsoos karke Akshaant bechain
ho gaya tha jo hone wala tha usse rokne ke liye Akshaant aage badha taaki Baba Akshaant
aur Baba Mokalsar ko uss jagah se kheench kar door kar sake par jaise hi Akshaant apne
aur apne dost ke baalya avatar ke paas pahuncha aur un dono ko pakadne ke liye apna
haath aage badhaya uske saath bhi wahi hua jo Ronit ek saath hua tha uska haath uske
aur uske dost ke baalya avtaron ke aar paar chala gaya aur thek Ronit ki hi tarah wo bhi
bebes bhari aakhon se un dono ko dekhne laga iss waqt Baba Akshaant aur Mokalsar badi
tezi se talwarbaazi kar rahe the Mokalsar talwarbaazi ke saath saath ek gymnast ki tarah
chalang laga kar idhar se udhar koodata jaa raha tha aur aisa karte karte wo kab pahad ke
antim chhor tak pahunch gayaye naa toh usse pata chala aur naahi uske saamne khade
Baba Akshaant ko dono apne me hi magan hokar talwar baazi kar rahe the tabhi achanak
Baba Mokalsar ki hi tarah Baba Akshaant ne bhi saamne ki taraf chalang lagate hue apni
talwar chalayi jiske jawab me Mokalsar ne bhi apni puri traakat lagate hue ek back flip liya
par yahi usse galti ho gayi Baba Mokalsar waise bhi mountain ke edge me khada thaback
flip maarne ki ajah se uska pair ussi edge ke last point par rakhe ek pathhar par pada jo
halka chikna tha pathar par pair padte hi Mokalsar ka balance bigda aur Mokalsar
Mokalsar ek saath do cheeken nikli pehli cheekh Baba Akshaant ki thi aur dusri ye scene
dekh rahe Akshaant ki par scene dekh rahe Akshaant ke haath me kuch tha nahi issliye
aakhon me aansu liye wo bas saamne dekhta raha wahi Baba Akshaant doudte hue pahadi
ke last point par pahuncha aur dhadakte dil se neeche ki taraf dekhne laga aur tabhi
Akshaant main yaha hun mujhe bacha le mere bhai ye awaaz Akshaant jahan khada tha
usse kuch neeche see aayi thi awaaz ke kaano me gunjte hi Baba Akshaant ki aakhen jinme
aansu bhar gaye the wo dobara chamak uthe dhayan se awaaz wali jagah par dekhne par
Baba Akshaant ko Baba Mokalsar ek ped ki tehni se latka hua dikha

Baba Akshaant:- tu chinta mat kar mere bhai main aa raha hun

Baba Mokalsar:- jaldi aa mere haath fisal rahe hain main zyada der tak iss tehni ko pakad
nahi paaunga paahadi ke last point par jahan iss waqt Baba Akshaant khada tha waha se
neeche utarne ke liye halke halke gadhe bane hue the Akshaant unhi gadhon me pair
jamate hue neeche utarne laga wahi Baba Mokalsar Baba Akshaant ko jaldi se usse
bachane ke liye awaaz diye jaa raha tha Baba Akshaant bhi jitni jaldi ho sakeutni jaldi
neeche utarta hua uss jagah par pahunch gaya jo uss ped ke level par thi jispar Baba
Mokalsar latka hua tha Akshaant uss ped par chadh gaya aur dheere dheere sarakte hue
aage badhne laga par problem ab bhi utni hi thi kyu ki Baba Mokalsar jis ped ki tehni ke
sahare jhool raha tha wo tehni ped se bohat zyada aage tak nikli hui thi itna hi nahi wo
tehni thodi patli thi usne ledekar Baba Mokalsar ka bhaar sambhale hue tha aur agar Baba
Akshaant bhi uss tehni par apna wazan daalta toh wo tehni toot jati kuch nayi yukti
talashte hue achanak Baba Akshaant ki nazar uske neeche se gaye ek bade se tenhi par
padi jo ki thoda patla tha wo uss tehni ko dekh hi raha tha ki

Baba Mokalsar:- jaldi kar Akshaant main aur zyada iss tehni ko nahi pakad paaunga Baba
Mokalsar ki awaaz se Akshaant jo dekh raha tha usse uska focus hat gaya Baba Akshaant
thoda niche hue aur usne apni talwar se jo usne abhi bhi apne paas rakhi hui thi usse
nikala aur tehni ke ek chhor par waar kiya jise tehni aadhi se zyada toot gayi Baba
Akshaant ne apne haathon ko jhatakte hue tehni ko pura tod diya aur usse pakad kar
wapas upar utha aur apne haath jisme tehni thi aage ki taraf badha diye wo tehni Baba
Mokalsar se kuch ek feet door tak pahunch gayi thi
Baba Akshaant:- Mokalsar sharir ko halka sa jhatka de aur iss tehni ko pakad le main tujhe
kheench lunga apne dost ki baat sun Baba Mokalsar ne bine ek baar bhi uss tehni ko dekhe
apne sharir ko ek halka sa jhatka diya aur agle hi pal Mokalsar ye cheekh Baba Akshaant
ke mouh se nikli thi reason tehni ka wo sira jo Mokalsar ke saamne tha wo gila tha aur
jaise hi Baba Mokalsar ne khudko jhatka dete hue uss tehni ke aakhri sire ko pakda toh
fislan ki wajah se uska haath slip ho gaya aur agle hi pal Baba Mokalsar neeche girta chala
gaya aur Baba Akshaant ke mouh se cheekh nikal gayi neeche girta hue Baba Mokalsar ki
body ek ke baad ek 5-6 pedon se takrayi aur fir ek ped jiske laten nikle hue the usme jaakar
fas gayi lagatar pedon se takrane ki wajah se Baba Mokalsar ke pair aur haath toot gaye
the aur wo behosh ho gaya tha wahi Baba Mokalsar ke girne ke baad Baba Akshaant kuch
der tak wahi ped par baitha hua rota raha par fir waha se wapas upar chaddh apne ghar
ki taraf nikal gaya ghar pahunch usne jo kuch bhi hua tha wo sab apne pitah ko bata diya
Baba Akshaant ki baat sun uske pitah kuch logon ko lekar uss jagah par phunche jahan
Baba Mokalsar gira hua tha kuch der tak khojne ke baad Akshaant ek pitah ko Baba
Mokalsar ek ped par pada hua mila jaanch karne par jab pata chala ki Baba Mokalsar mara
nahi hai toh sabhi ne chain ki saans li Baba Mokalsar ke murchit sharir ko utha Akshaant
ke pitah ghar wapas aa gaye jahan ek taraf ye dekhkar ki Baba Mokalsar zinda hai Baba
Akshaant khush hua wahi dusri taraf ye jaankar ki uske dost ke haath pair toot gaye hain
wo nirash ho gaya Baba Akshaant ko ye sab kahi na akahi ussiki galti lag rahi thi wo soch
raha tha ki agar uss tehni ko apne dost ki taraf badhane se pehle ek baar usne check kar
liya hota toh ye sab nahi hota ye sab scenes Akshaant ke aakhon ke aage chal rahe the
jinhe dekhkar uska wo barso purana dukh ek baar firse taaza ho gaya bhigi palkon ke saath
Akshaant peeche palat gaya par tabhi

Mokalsar's room:

Mokalsar:- ye toh Akshaant ke Baba hain aur inke saath ye do bacche arre ye toh main
aur Akshaant hain darasal Mokalsar ke saamne bhi wahi scene chal raha tha jo Akshaant
ke saamne chal raha tha aur Mokalsar bhi apne aur apne dost ke baalya kaal ko aur uss
waqt ko dekhkar khush ho gaya tha dheere dheere Mokalsar ke aakhon ke saamne bhi
wahi sab scenes chalne lage jo Akshaant ke saamne chale the aur fir uske aankhon ke
saamne wo scene bhi chalne laga jab wo uss ped se latka hua tha aur usse bachane ke liye
Akshaant apni jaan ki parwah na karte hue khaayi se niche utar gaya Mokalsar dekh raha
tha ki kaise Baba Akshaant ne ussi ped ki jise wo latka hua tha ek patli si tehni ko toda aur
usse pakadne ke liye Mokalsar ko kaha kaise uss tehni ko pakadte hi uska haath fisal gaya
aur wo neeche girne laga wo dekh raha tha ki kaise uska sharir kayi saare pedon se takraya
aur fir aakhir me jaakar ek ped me fas gaya Mokalsar ko khudko khayi se girta dekh itna
dukh nahi ho raha tha jitna Baba Akshaant ko rota dekh kar ho raha tha Mokalsar ko Baba
Akshaant ka rona dekha nahi gaya aur uski aankhen chalak padi bhigi palkon ke saath
Mokalsar peeche palat gaya par tabhi

Shaila's room:

Baby Shaila:- Baba mujhe doodh pasand nahi main nahi piyungi ye bolkar baby Shaila phir
se apne ghar ke aangan me idhar udhar bhaagne lagi wahi Shaila ki baat sunkar uske Baba
haath me doodh ka glass liye ek jagah par khade ho gaye

S/Baba:- thek hai fir mat pee tu doodh lekin aaj se tera mithayi khaana bhi band main
saari mithayi bahar logon ko baant kar aata hun ye bol Shaila ke Baba palte hi the ki baby
Shaila jhat se unke aage aakar khadi ho gayi

Baby Shaila:- nahi Baba aap meri mithayi kisi aur ko kaise de sakte hain?

Baba:- bilkul de sakta hun aur dunga bhi jab tu meri baat nahi sunti toh main kyu teri sunu
main toh saari mithayi baant kar hi rahunga

Baby Shaila:- nahi naa Baba aur maine kab doodh pine se mana kiya

Baba:- acha toh kya tere bhooth ne mana kiya tha?

Baby Shaila:- kisi ne bhi mana nahi kiya zaroor aapko koi bhram ho gaya hai laayiyedijiye
mera doodh ye bol baby Shaila ne jhat se doodh ka glass apne pitah ke haath se liye aur
ek saans me pi gayi par doodh pine ke baad uska mouh ban gaya jise dekhkar uske pitah
hans diye apne baal roop aur pitah ka ye drishya saamne khadi Shaila dekh rahi thi jahan
kuch der pehle tak uske chehre par dard dikh raha thawahi uss drishya ko dekh ab wo
muskura rahi thi par ye muskurahat bas kuch lamho ki thi kyu ki agle hi pal drishya badal
gaya aur jo drishya Shaila ke saamne aaya usse dekh ek pal me hi uski aankhen jhalak uthi
reason is waqt jo naya drishya Shaila ke saamne tha aur wo aur kuch nahi balki ussi raat
ka tha jis raat Nishkalika chupke se uske Baba ke shayan kaksh me ghussi aur uske sote
hue Baba ki neend me hi hatya kar di jaise hi Nishkalika ne khanjar Shaila ke pita ji ke
seene me ghusaya Babaaa drishya dekh rahi Shaila ke mouh se apne pitah ke naam ki
cheekh nikal gayi par Shaila janti thi ki wo pal toh kab ka beet chuka tha aur jo chal raha
tha wo ek maaya thi bhigi palkon ke saath Shaila peeche palat gayi par tabhi

Back to hero:
shaktiyem sparsham power touch chunouti shuru ho chuki thi Agrasena ne apne sword
ko aage kar apna pehla spell bol diya tha spell ke bolte hi sword se uski urja bahar aayi
aur mere taraf aane lagi main janta tha ki Agrasena ke spell ki wajah se jo ye urja bahar
aayi haiisme bhi Lord of Angels ke goon hain aur saath hi ye ek chumbak bhi hai iske mujhe
chuute hi ye meri urja ko kheenchna shuru kar degi par ye janane ke baawajud main apni
jagah par khada raha aur jaise hi wo urja mujhtak pahunchi maine khudko ek shadow me
badal liya jiski wajah se wo urja mere sharir ko naa chukar mere aar paar hone lagi par
jaise hi wo urja mere sharir ke bheetari angon se hokar dusri taraf se nikalne ko hui mere
shadow ne wapas sharir ka roop le liya aisa hone ki wajah se wo urja mere andar hi reh
gayi wo urja mujhe nuksaan sirf bahar se hi kar sakti thi andar se nahi aur issliye hi maine
ye yukti nikali thi bina mujhe sparsh kiye mere andar jane aur sidhe meri andruni urja ko
chune ki wajah se wo urja bhi meri urja ke saath mil gayi adhbhudh ye baat Agrasena ke
mouh se nikli thi wo bhi meri yukti ko samjh gaye the kuch der tak prashansaniya bhaav
se mujhe dekhne ke baad

Agrasena:- apni amanat se do do haath ho jaye ye bolkar bina mera reply sune Agrasena
ne sword ko meri taraf ucchal diya aur agle hi pal hawa me tairti hui wo sword mujhse
kuch feet door aakar ruk gayi aur aisa hote hi sword ke andar se ek ke baad ek 10 yodha
bahar aaye aur kamaal ki baat ye thi ki un sab yodhaon ke haath me meri hi sword thi apni
nayi chaal chal Agrasena muskura uthe aur apne waist par apne dono haath tika meri taraf
dekhne lage waise muskaan toh mere chehre par bhi thi main muskurate hue mujhe ghere
un 10 yodhaon ko dekh raha tha main janta tha ki bhale hi mere saamne khade wo 10 log
yodha hain par ab jo yudh wo mujhse kare ge wo yudh asal me mujhse wo log nahi balki
meri talwar karegi un yodhaon ke har prahar me meri sword ki shakti aur tezi mili hogi
par fir bhi main aaram se khada raha wahi wo 10 yodha mujhe charon taraf se ghere hue
kuch der tak gol gol ghumte rahe par fir achanak mere peeche khade to yodha tezi se meri
taraf aage badhe aur agle hi pal unki talwar tezi se mere dono shoulders ko nishana
banakar chal pade aur soobhh kadak pehli awaaz talwar chalne ki thi par ye waar khaali
gaya kyu ki jaise hi wo dono sword mere kandhe ke pas pahunche maine apne aakar ko 3
guna tak patla kar liya jiski wajah se dono talwar bas hawa ko hi chir sake par unke talwar
ke niche pahunchne se pehle hi main bijli ki tezi se piche ghuma aur mere dono haath un
dono yodhaon ke ek ek side ke shoulder par pade jise unki shoulder ki haddi toot gayi aur
jaise hi ye hua wo dono yodha ek roshni me badal kar gayab ho gaye aur dono talwar bhi
wapas meri original sword jo ki hawa me ruki hui thi uske andar sama gaye wahi jaise hi
wo dono yodhna gaayab hue baaki ke bacche 8 yodha ek saath meri taraf lapke par isse
pehle ki wo sab ek feet bhi aage aa paate kadak kadak kul 8 baar kadak ki awaaz aayi aur
issike saath wo 8 yodha roshni me badal gaayab ho gaye aur un sab ki talwar wapas asli
sword ke andar sama gayi toh hua ye ki jaise hi wo 8 mujhe maarne ke liye aage badhe
main waqt ko bhi maat deta hua ek ek ke piche pahunchta gaya aur saath hi ek ek jhatke
me un sab ke gardan todta chala gaya sword ke iss prahar ke viphal hone ke baad wo tez
chamki aur aage badh thek mere saamne aakar khadi ho gayi main samjh gaya tha ki ab
ye khud mujhe ladegi taaki meri yogyata ko parakh sake mere saamne aate hi talwar ek
baar firse chali aur agle hi pal soobh soobh ek ke baad ek sword ne mujhpar lagatar hamle
karna shuru kar diya sword ki speed itni zyada thi ki hum dono se kuch door khade
Agrasena ko toh sword dikh hi nahi rahi thi wahi main sword ke har waar ko aaram se
dodge deta chala aa raha tha par mere lagatar dodge dene ki wajah se sword ki speed aur
badhti jaa rahi thi aur achanak thaappp ye awaaz mere hatheli ke piche ki taraf sword ke
mooth lagne ki wajah se aayi thi toh hua ye ki sword lagatar mujhpar tezi se waar kar rahi
thi aur achanak mere seene ko nishana banakar sword meri taraf tezi se badhi maine ye
dekh liya tha issliye isse pehle ki sword mere nazdeek pahunchti main side ho gaya par ye
sword ki ek chaal thi mere paas pahunchne se pehle hi usne apna waar badal diya aur ek
jhatke me ulti ho gayi aur ghumte hue meri taraf badhi sword ke iss achanak badle hue
waar se bachne ke liye main bhi dusri side hone ko hua aur main kaamiyab bhi ho hi gaya
tha par aakhri samay me talwar ki mooth mere hatheli ke back side se takra gayi ab ye koi
maamuli talwar ki mooth toh thi nahi uske takraate hi mere haath ko ek jhatka laga isse
mujhe kuch khaas fark toh nahi pada par haan main ab tak isse bas ek khel ki tarah aaram
se khel raha tha par ab mere chehre ki muskaan gayab ho chuki thi aur main ek tak sword
ko dekhne laga aur jaise hi agle waar ke niyat se sword tezi se meri taraf lapki toh sword
ki speed se khudko 100 guna tez karte hue main uske piche pahunch gaya aur uske mooth
ko pakad liya mere mooth ko pakadte hi sword chat patane lagi par mujhe isse koi fark
nahi pada kuch der tak sword ko pakde rehne ke baad uske mooth par apne muthi ki giraft
aur tight karte maine ek jhatke me sword ko zameen me jad tak gada diya par tabhi mere
sword ko zameen me jad tak gadane ki wajah se mere aas paas ki zameen kuch palon ke
liye hil gayi thi wahi zameen me jad tak sword ko gadane ke baad jab maine apna haath
uske mooth se hataya toh sword firse upar aane lagi par tabhi maine apna right pair sword
ke mooth ke upar rakha aur usse wapas zamin me dhasata chala gaya sword ek baar phir
se puri zameen me dhas chuki thi par maine apna pair abhi bhi uski mooth par rakha hua
tha sword apne aap ko bahar nikalne ki puri koshish kar rahi thi par kaamiyab nahi ho paa
rahi thi sword toh apni jagah par hi thi par uske zamin ke andar chatpatane ki wajah se
mere aas paas ki zameen ek baar firse hilne lagi aur iss baar thoda zor se Agrasena bhi
khade khade ladkhadane lage the wahi kuch der tak lagatar bahar aane ki naakaam
koshish karne ke baad swrod shaant ho gayi aur aisa hote hi zameen ka hila bhi band ho
gaya

Agrasena:- pratham chunouti purn hui aapko toh sirf sword ko neeche girana tha par
aapne toh isse zamin ke andar hi gaad diya aapne sword ko saabit kar diya ki aap iske
layak hain Agrasena ki baat sun main muskuraya aur agle hi pal maine apna pair sword ki
mooth ke upar se hata diya par mere pair ke hatane ke baad bhi sword zamin ke andar hi
rahi maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi sword ek jhatke me zamin se bahar
aayi aur uske bahar aate hi maine usse pakad liya par ab bhi sword me halki halki
vibrations ho rahe the kyu? kuch der me aapko pata chal jayega

Agrasena:- ab dusri avum antim chunouti aapko iss sword se mujhe maarna hoga?
Agrasena ki baat sun main muskuraya aur tabhi soobh meri talwar ek jhatke me ghumi
aur agle hi pal Agrasena ka sar uske dhadh se alag hokar zameen me gir chuka tha par ye
kya? sar ke katne ke agle hi pal Agrasena ka sar jo zameen me pada hua tha wo hawa me
utha aur wapas jaakar Agrasena ke dhad se jud gaya

Agrasena:- ye itna bhi aasan soobh Agrasena isse aage nahi bol paye kyu ki unke vaakya
khatam hone se pehle hi meri talwar ek baar fir chali aur ek baar firse Agrasena ka sar
unke dhad se alag ho gaya par ek baar firse wahi ghatna kram dohraane laga Agrasena ka
sar wapas hawa me uthne laga par isse pehle ki wo sar Agrasena ke dhad se judta mere
haathon se ek ray nikli aur boom mere haathon se nikli ray Agrasena ke dhad se takrayi
jise ek tez dhamaka hua aur uss dhamake me Agrasena ka dhad nasht ho gaya par isse
Agrasena ke sar par koi asar nahi hua wo hawa me aage badhi aur kuch pal pehle tak jahan
par Agrasena ka dhad tha uske upar wali jagah par aakar sthi r ho gayi aur agle hi pal sar
ke sthi r hote hi uske neeche ek roshni failne lagi aur dekhte hi dekhte uss roshni ne ek
aakar lena shuru kar diya aur kuch hi der me wo aakar Agrasena ka dhad ban gaya aur
jaise hi Agrasena ka dhad uske sar se juda Agrasena zinda ho gaye

Agrasena:- ye itna bhi aasan nahi hone wala hai lord

Main:- mujhe pata hai main toh bas time paas kar raha hun ye bol maine apni aakhen
band ki aur kuch dekhne laga jo dekhna tha dekhne ke baad maine apni aakhen kholi aur

Main:- jaldi karo doston jab tak tum sab ki chunouti puri nahi ho jati main kuch nahi kar
sakta

Back to friends: Ronit's room:


Ronit Ronit piche palta hi tha ki achanak uske kaano me ye awaz gunji jise sunkar usse tez
jhatka laga aur wo turant wapas piche palat gaya patalthe hi ek baar firse Ronit ke
aankhon se aansu nikal pade par iss baar ye aansu gum ke nahi balki khushi ke the bhari
aankhen par chehre par muskaan liye Ronit apne naam pukarne wali ko dekh raha tha

Ronit:- Anjali Anjali jo iss waqt Ronit ke saamne khadi thi wo safed kapdon me ek pari ki
tarah dikh rahi thi jiski aankhon me Ronit ke liye beshumar pyar jhalak raha tha Ronit aur
Anjali ek dusre ke aankhon me ek tak dekhe ja rahe the

Ronit:- magic me illusion ke jhuth se hi sahi kamse kam main tumhe saamne se dekh toh
paya Ronit ki baat sunkar Anjali ke chehre par muskaan aa gayi

Anjali:- haan ye sach hai ki main iss maayavi duniya ka illusion hun par ye jhoot sach ho
sakta hai Anjali ki baat Ronit ko samjh me nahi aayi wo aankhon me sawal liye Anjali ko
dekhne laga

Anjali:- jis taalab se tum shaktiyan prapt karne aaye ho usme soul ko loutane ki bhi shakti
hai aur issliye hi uss taalab ke paani ne mujhe yaha bheja hai agar tum chaaho toh wo
paani meri soul ko tumhe louta sakta hai aur sharir ka nirman toh Vikram kar hi dega iska
sidha sa matlab ye hai ki tum apni Anjali ko dobara paa sakte ho Anjali ki baat sun Ronit
ki khushi ka thekana naa raha

Ronit:- kya ye ho sakta hai? kya tum sach me wapas lout sakti ho

Anjali:- Ronit kya maine tumse kabhi jhuth bola hai? Ronit Anjali ko gale lagane ke liye
jhat se aage badha par fir wahi hua Ronit ka haath Anjali ke aar paar chala gaya

Anjali:- ek baar main wapas lout aaun fir hamesha tumhari baahon me hi rahungi

Ronit:- tumhe wapas lane ke liye kya karna hoga?

Anjali:- wo dekho ye bol Anjali ne ek taraf point kiya jahan Anjali ne point kiya tha uss
jagah par ek darwaza ban gaya aur jaise hi Ronit ki nazar uss darwaze ke dusri taraf gayi

Ronit:- arre waha toh

Anjali:- wahi jagah hai jahan se tum iss chunouti me utarne ke liye andar aaye the Anjali
ne Ronit ki baat ko pura kiya

Anjali:- tu iss chunouti ko bhul jaa aur uss darwaze se hote hue wapas bahar nikal jaa aisa
karte hi ye jagah meri soul ko tumhare hawale kar degi
Ronit:- ohh Ronit kuch sochne me laga hi tha ki

Anjali:- kya hua Ronit? kya ye chunouti aur shaktiyan tumhare liye mujhse bhi zyada
important hain?

Ronit:- nahi Anjali tumse zyada important toh main khud bhi nahi hun

Anjali:- toh zyada mat soch aur chal mere saath hum dono saath saath uss darwaze ko
cross karte hain Ronit ne haan me sar hilaya aur Anjali ke saath aage badh gaya Anjali aur
Ronit ek dusre ke aankhon me aakhen daale aage badh rahe the wo exit darwaza ab un
dono se kuch hi kadam door tha Ronit Anjali ke saath chalte hue uss darwaze ke saamne
pahunch chuka tha aur usse paar karne ke liye apna right pair upar hawa me utha bhi
chuka tha ki tabhi

Akshaant's room:

Akshaant mere bhai Akshaant palta hi tha ki ek dard bhari awaaz uske kaano me gunji
awaaz sunkar Akshaant wapas palta par palatne par jo drishya uske aankhon ke saamne
the usse dekh kar usse jhatka laga reason jo drishya kuch der pehle chal raha thawo wapas
shuru ho gaya tha par iss baar do fark the pehla ya ki kuch der pehle Baba Akshaant jahan
leta hua thaussi tehni par iss waqt wo khud leta hua tha aur usse thodi door tehni par
Baba Mokalsar ki jagah Mokalsar latka hua tha jo awaaz Akshaant ke kaano par padi thi
wo bhi Mokalsar ki hi thi aur wo ab bhi Akshaant ki taraf hi dekh raha tha dusra ye ki Baba
Mokalsar ke neeche khayi nahi thi balki ek darwaza dikh raha tha jiske dusri taraf ussi
talaab ka exit tha jise hokar wo iss maayvi duniya me aaye the Akshaant in sab chizon ko
samjhne ki koshish kar hi raha tha ki

Mokalsar:- Akshaant main janta hun mujhe naa girne se naa bacha paane ka doshi tu aaj
bhi khudko hi maanta hai par aaj tu uss soch ko hamesha ke liye badal sakta hai

Akshaant:- matlab? kaise aur ye sab kya hai?

Mokalsar:- hamare parakram ko dekhte hue iss mayavi duniya ne hume puraskrit karne
ka nirnay liya hai neeche jo darwaza dikh raha hai naa usme hum dono ko ek saath chalang
lagana hoga aisa karte hi hamari bachpan ki wo dukhad ghatna wapas badal jayegi aur tu
mujhe naa bacha paane ke dosh se khudko hamesha ke liye mukt ho jayega

Akshaant:- sach aisa ho sakta hai?

Mokalsar:- bilkul ho sakta hai bas tu kuch der ke liye yaha ki chunouti ko bhool jaa tu bas
waha se mere upar chalang laga de hum dono ek saath hamare neeche bane darwaze
kood jayenge aur jaise hi hum darwaze ke uss paar pahunchenge samay chakra badal
jayega aur hamari wo buri yaad bhi mit jayegi Mokalsar ki baat sunkar Akshaant khush ho
gaya usne mann hi mann Mokalsar ke kahe anusar karne ka nirnay le liya apna pura
balance tehni par dekar Akshaant ne Mokalsar ke upar chalang lagane ki position le li
chalaang lagane se pehle Akshaant ne apne body ko halka pull kiya hi tha ki tabhi

Mokalsars room:

dar mat bhai tujhe kuch nahi hoga Mokalsar piche palta hi tha ki tabhi uske kaano me ye
awaaz gunji jise sunkar wo chonk gaya Mokalsar ke chonkne ki wajah sirf wo awaaz nahi
thi balki abhi ka drishya bhi tha darasal Mokalsar jo ek second pehle apne pairon par
khada tha ab wo ek ped ki tehni se latka hua tha aur ye tehni wahi thi jispar wo kuch der
pehle drishya me latka tha aur toh aur jo awaaz aayi thi wo uske upar se nahi balki neeche
se aayi thi jise sun jaise hi Mokalsar ne neeche dekha toh chonk gaya reason Akshaant jise
upar hona chahiye tha wo neeche ki ek tehni jo pehle nahi thi uspar latka hua tha aur uske
neeche ek darwaza bana hua tha jiske dusri taraf iss maayavi duniya ka exit tha Mokalsar
iss nayi maaya ko samjhne ki koshish kar hi raha tha ki

Akshaant:- zyada soch mat mere bhai yahi hum dono ki chunouti hai bachpan ke iss kadwi
yaad ko hum dono ko ek baar firse jeena hoga par agar hum dono hamare neeche jo
darwaza haiusse ek saath paar karne me kaamiyab hue toh naa sirf iss chunouti ko paar
kar lenge balki bachpan ki uss kadwi ghatna ko bhi badal payenge

Mokalsar:- ye kaise chunouti hai?

Akshaant:- jitna aasan lag raha hai utna hai nahi tune meri baat dhayan se nahi suni hai
hum dono ko ek saath ek hi samay par uss darwaze ke paar jana hoga naa ek pal pehle
aur na ek pal baadme aur hamare paas zyada waqt bhi nahi hai agar hum jaldi se nahi
kude toh darwaza band ho jayega aur hum ye chunouti haar jayenge teri hadbadi ki wajah
se pichli chunouti hum haar hi gaye the aur iss baar agar tune vilamb kiya toh hum nischit
hi haar jayenge Akshaant ki baat sun Mokalsar ko apne pichle chunouti ke douran kiya
gaya galti yaad aa gaya usse laga ki Akshaant thek bol raha hai aur issliye usne neeche
koodne ka nirnay kar liya

Mokalsar:- tayar reh main kood raha hun

Akshaant:- tu chinta mat kar aur chunouti ko bhi bhul jaa taaki tera dimag khul sake aur
kood jaa ek lambi saans kheench Mokalsar ne apne haath ki giraft tehni se kamzor ki hi
thi ki tabhi
Shaila's room:

gudiya Shaila jo palti hi thi wo ye awaaz sunkar chonk gayi aur jaise hi wo paltitoh nuske
aashcharya ka thekana naa raha iss waqt uske pitah uske saamne muskurate hue khade
usse dekh rahe the Shaila jhat se aage badhi taaki apne pitah ko gale laga sake par uske
saath bhi wahi hua jo Ronit ke saath hua tha uske haath uske pitah ke aar paar ho gaye
jise wo nirash ho gayi

S/Dad:- nirash mat ho gudiya tu abhi mujhe nahi chhu paa rahi haipar agar tu chaahe toh
aage chalkar zaroor chhu payegi

Shaila:- main samjhi nahi Baba

S/Dad:- matlab main puran jeevit ho sakta hun par tabhi jab tu chaahe apne pitha ki baat
sunkar Shaila shocked bhi hui aur khush bhi

Shaila:- kya aap sach keh rahe hain pita ji? agar ye sambhav hai toh main kuch bhi kar
jaaungi aapko punah jeevit karne ke liye Shaila ki baat sunkar uske pitah muskura diye

S/Dad:- iske liye tujhe koi bada kaam karne ki zaroorat nahi hai bas tu iss chunouti ko bhul
jaa

Shaila:- matlab?

S/Dad:- wo dekh ye kehkar Shaila ke dad ne ek taraf point kiya aur jaise hi Shaila ki nazar
uss taraf gayi toh wo shocked ho gayi uske dad ke point kiye hue jagah par ek darwaza
bana hua tha jiske dusri taraf iss mayavi jagah ka exit tha

Shaila:- wo darwaza

S/Dad:- mujhe wapas zinda karne ki chaabi hai Shaila ki baat ko uske dad ne pura kiya par
Shaila ko ab bhi kuch samjh nahi aa raha tha aur issliye

S/Dad:- tujhe uss darwaze se hokar dusri taraf jana hoga aisa karte hi ye mayavi jagah
tujhe khush ho jayegi aur badle me meri aatma tujhe soump degi jise main fir se jeevit ho
sakunga Dad ki baat sunkar Shaila ki khushi ka thekana naa raha

Shaila:- kya aisa sach me ho sakta hai pita ji?

S/Dad:- bilkul ho sakta hai ab vilamb mat kar aur chal ye keh Shaila ke pita ji aage aage
chalne lage aur unke piche piche Shaila chal padi Shaila chalte hue darwaze ke nazdeek
pahunch chuki thi aur usne usse paar karne ke liye apna ek pair bhi aage badha diya tha
par tabhi

Dhanur's room:

inme se kisi ko bhi meri awaaz sunayi nahi de rahi hai jo scenes mere charon doston ke
room me chal rahe the wo Dhanur dekh rahe the aur lagatar kuch na kuch bole bhi jaa
rahe the par unki awaaz un charon ko sunayi nahi de rahi thi jise Dhanur samjh gaye the
ki iss mayavi jagah ne unki awaaz ko block kar diya hai wo chup chaap drishya dekhne ke
alawa aur kuch nahi sakte the

All four rooms:

chunouti ko bhool jaa

Ronit aur Shaila jinho ne darwaze ko cross karne ke liye apne kadam hawa me utha liye
the Akshaant jisne apne aap ko pull kiya hua tha jhatke se chalaang lagane ke liye aur
Mokalsar jisne apne haath dheele chhodne shuru kar diye the Akshaant ke upar girne ke
liye thek ussi waqt mere charon doston ke dimag me ye shabdon ki maala jo unke partners
ne kahi thi strike hui aur agle hi pal Ronit aur Shaila ne apna pair wapas kheench liya
Akshaant wapas tehni me normal hokar baith gaya aur Mokalsar ne firse tehni ko
mazbooti se pakad liya un charon ke aisa karte hi unke saamne wale kuch kehne ke liye
apna mouh kholne hi wale the ki

Charon dost:- ye bas ek bhram hai aur kuch nahi hum apni chunouti chhodkar nahi
jayenge antim chunouti purn hui jaise hi mere doston ke mouh se ye baat ye fir ye kahu
ki unke faisle nikle tabhi ye awaaz unke kaano me gunj uthi aur dekhte hi dekhte unke
saamne moujud maaya gaayab hone lagi aur kuch hi palon me wo pura illusion khatam
ho gaya aur aisa hote hi mere dost wapas ussi Magical Dimension me aa gaye jahan se
unhone apne chunoutiyon ki shuruat ki thi Dhanur bhi wahi khade the ek dusre ko apne
samaksh dekh mere dost khush ho gaye aur charon ne ek group hug kiya

Dhanur:- bohat khub bacchon bohat khub tum sabne jis dhairya se iss antim chunouti ko
paar kiya hai wo nissan deha taarif ke kabil hai dushman se ladhna toh aasan hota hai
kintu jab mukabla apno se ho toh kaarya asambhav jaisa kathin ho jata hai par tum sab
ne jis tarah se iss bhram ko samjha aur usse kaata usse tumne saabit kar diya hai ki tum
sab apaar shaktiyon ko paane ke kabil ho Dhanur ki baat sunkar mere charon doston ne
unke saamne apne haath jode aur
Ronit:- aapke bina sujhav aur sahayata ke hum in chunoutiyon ko kabhi paa nahi kar paate
Ronit ki baat ka baaki teeno ne bhi samarthan kiya wahi Dhanur bas muskura diye par
tabhi

Shaila:- arre ye kya ho raha hai?

Ronit:- haan yaar kahi koi naya panga toh nahi hone wala? arre ye prakash kaisa? toh hua
ye ki achanak wo jagah jahan mere dost aur Dhanur khade the wo hilne lagi thi kuch der
tak hilne ke baad uss jagah par ek tez prakash fail gaya jise mere doston ki aankhen band
ho gayi kuch der tak aisa hi raha par fir dheere dheere roshni kam hone lagi roshni ke kam
hone ke baad jaise hi mere doston ne apni aankhen kholi toh shocked reh gaye reason is
waqt wo wahi khade the jahan se unhone shuruat ki thi matlab taalab ke saamne

Ronit:- oye teri ye shock abhi khatam hi nahi hua tha ki mere doston ko dusra shock laga
reason mere doston ke dusri taraf iss waqt Mirrors World ke teeno mirrors hawa me
khade hue the un mirrors ko apne saamne dekh mere dost hadbada gaye the aur isse
pehle ki wo kuch kehte

Mirrors:- tum sab ne apni sabhi chunoutiyan safalta purvak puri ki issliye mirrors ne aage
kuch nahi kaha balki agle hi pal unke andar se teen beams ek saath nikli aur theek mere
doston ke seene ke beech padi aisa hote hi mere doston ke sharir hawa me uthne lage
par tabhi chaar aur beams nikli par ye beams mirrors se nahi balki talaab se nikli thi wo
beams bhi mere doston ke peeth par padi aur aisa hote hi mere doston ke sharir wapas
zamin par aane lage iss douran mere doston ki aakhen band ho gayi thi kuch der tak aisa
hota raha uske baad talab ki aur mirrors ki beam ek saath gayab ho gayi beams ki wajah
se bohat tez roshni ho gayi thi issliye mere dost dikh nahi rahe the par beams ke gayab
hote hi wo dikhne lage aur jab Dhanur ki nazar mere doston par gayi toh unke chehre par
muskaan aa gayi reason mere doston ki aakhen toh iss waqt band thi par unke sharir
bohat tez chamak rahe the ye chamak uss urja se aa rahi thi jo ab mere doston ke andar
thi mere doston ke chehre ki chamak bhi ab pehle se 1000 guna tak badh gayi thi kuch
der tak yunhi aankh band rakhne ke baad mere doston ki aakhen khul gayi apne sharir ke
tej aur apne andar ki urja ko mere dost mehsoos kar paa rahe the unhe aisa lag raha tha
jaise ek bohat badi shakti ka shroth unke andar beh raha hai aur agar wo ishara bas kare
toh wo shakti pure bramhaand ko hila sakti hai apne andar aur sharir me aaye iss badlao
se wo khush bhi the aur hairan bhi kuch der tak khudme hi khoye rehne ke baad un sab ki
nazar pehle unke saamne khade Dhanur par gayi aur fir mirrors par apni shaktiyon ke bare
me janane ke liye wo mirrors se iske bare me puchne hi wale the ki arre ye kya ho raha
hai? ye baat mere charon doston ke mouh se ek saath nikli thi

Back to hero:

kya hua? aap mujhe maarne ki aur prayas kyu nahi kar rahe? do prayason ke baad main
Agrasena ke saamne aaram se khada ho gaya maine unpar aur koi waar nahi kiya jise dekh
Agrasena ne mujhse ye swal pucha tha

Main:- aap bhi toh naa mujhse bachne ka prayas kar rahe hain aur naahi saamne se
aakraman?

Agrasena:- aakraman main issliye nahi kar raha kyu ki main iss layak nahi aur khud ka
bachav main issliye nahi kar raha kyu ki mujhe iski zaroorat hi nahi iss talwar se main mar
nahi sakta

Main:- sirf tab tak jab tak main aap par issi talwar se agla waar nahi karta mere agle waar
se aap bach nahi payenge meri baat sunkar Agrasena ke chehre par muskaan aa gayi

Agrasena:- aur kya main jaan sakta hun ki aisa kyu?

Main:- thoda rukiye pata chal jayega ye bol maine apni aakhen ek baar firse band kar li
Agrasena ne bhi iske baad mujhse kuch nahi pucha meri aankhen kuch der tak band rahi
par tabhi mere chehre par ek muskaan naach gayi aur uske agle hi pal meri aankhen khul
gayi maine ek baar Agrasena ko dekha aur maine sword ko ek disha me fek diya sword
tezi se ek disha ki taraf badh gayi aage badhte hue kuch hi palon me meri sword apne
manzil ki taraf pahunch gayi aur agle hi pal apni manzil par pahunch sword ek tez roshni
ke gole me convert ho gayi aur uss roshni ke gole se for tez kirane nikli aur aage badh gayi
aur sidhe jaakar apne apne targets se takrayi ye targets aur koi nahi the three mirrors aur
taalab the aur yahi wo reason tha doston jiski wajah se mere dost shocked hue the mirrors
aur taalab par jaise hi mere sword ki rays touch hui mirrors ke aakar change hone lage aur
saath hi taalab ki bhi jahan ek taraf mirrors urja me badal gaye wahi taalab dhuen me
badalne laga aur dekhte hi dekhte wo dhua mirrors ki urja ko khud me lapetne laga jaise
hi uss dhuen ne urja ko lapeta urja ko samete wo dhua sidhe mere sword se bani roshni
me sama gaya aur aisa hote hi wo roshni wapas meri sword me badal gayi wapas meri
taraf tezi se aane lagi jab ye sab ho raha thatoh mirror aur taalab ki jagah par itni roshni
ho gayi thi ki mere dost aur Dhanur ko apni aakhen band karni padi thi aur jab ye roshni
ghati aur sabhi ne apni aakhen kholi toh shocked reh gaye reason taalab bhi gaayab ho
chuka tha aur mirrors bhi kisi ko kuch bhi samjh me nahi aaya ki aakhir hua toh hua kya?
wahi dusri taraf sword tezi se meri taraf aa rahi thi

Main:- tayar hain par meri baat Agrasena ko samjh me nahi aayi par isse pehle ki wo kuch
kehte khach meri sword mere haath me wapas aa chuki thi aur issliye mera haath ek baar
fir ghuma aur agle hi pal Agrasena ka sar unke dhad se alag hokar gir chuka tha par sar ke
katne ke agle pal hi wo sar wapas uske dhad se judne ko hua par isse pehle ki aisa ho paata
maine apni sword aage kar di aur zuganati shaktiyem eject power mere spell bolte hi meri
sword ki nok tez chamakne lagi aur agle hi pal ussi nok se do alag alag cheezen nikli pehli
dhua joki asal me wahi maayavi taalab tha aur dusri white ray joki asal me the three
mirrors the dhua jaakar Agrasena ke dhad se lipat gaya aur ray sidhe jaakar Agrasena ke
sar se jaakar takraya aur aisa hote hi boom Agrasena ka dhad aur sar vibrate hone lage
aur dekhte hi dekhte dono blast ho gaye par iss baar blast hone ke baad kli parivartan
nahi aaya tha jiska matlab Agrasena ki shart puri hui toh asal baat ye thi doston ki aapko
yaad hoga ki Mirrors World Agrasena ne sword ki shakti se hi banaya tha par jab Mirrors
World ki sthapana ki gayi thi tab Agrasena ne sword ko khudse nahi joda tha issliye the
three mirrors aur talaab bhi Agrasena se nahi jude the par wo sword ka hi ek hissa the aur
jaise hi maine pehli baar sword ka sparsh kiya tha toh mujhe uske baaki ke bhaagon joki
taalab aur mirrors theunke bare me pata chal gaya tha aur sath hi ye bhi pata chal gaya
tha ki wo bhaag Agrasena se nahi jude hain kuch der pehle jab maine apni aakhen band
ki thi toh wo issliye ki thi ki main dekhna chah raha tha ki mere doston ki chunouti kaha
tak pahunchi thi kyu ki bina mere doston ki chunouti pure kiye main taalab aur mirrors ko
talwar se nahi jod sakta tha aur jaise hi mere doston ki chunoutiyan khatam huin aur unhe
shaktiyan mili maine taalab aur mirrors ka roop badal unki shaktiyon ko wapas sword se
mila diya aur jaise hi maine sword se Agrasena ka sar kaata maine taalab aur mirrors ki
shaktiyon ko unke dono bhaagon par chhod diya jise unke sar aur sharir ka samouh naash
ho gaya jaise hi Agrasena ka sharir khatam hua mere saamne ek tez roshni hui aur ussi
roshni ke beech ek angel prakat hue

Main:- apne purane aur asli roop me swagat hai angel Agrasena ji haan doston ye angel
aur koi nahi Agrasena hi the jo ki iss waqt ek angel ke spirit form me the Agrasena ne mere
aage haath jode aur

Agrasena:- mujhe meri pehchaan wapas dilane ke liye shukriya lord jo sharir mujhe mila
tha wo bas aapki amanat aap tak pahunchane ke liye hi tha mere sharir ko khatam kar
aapne mujhe mere kartavya se bhi azaad kiya hai ab main wapas God ke paas jaa sakta
hun
Main:- aapki lagan sarahaniya hai Agrasena aapki nishta atulniya hai meri baat sun
Agrasena ne sar jhuka liya

Main:- aap jaa sakte hain mere kehte hi ek baar Agrasena mere aage firse jhuke aur agle
hi pal wo gayab ho chuke the par tabhi mere saamne ek tez roshni hui aur jab wo roshni
hati toh mere saamne Avantika khadi thi mujhe dekh wo doudte hue mere paas aayi aur
mere gale lag gayi

Main:- asli prize toh ab mila meri baat sun Avantika muskurate hue mujhse alag hui

Avantika:- chalen

Main:- ek aakhri kaam bacha hai wo karlenfir chalte hain Avantika aankhon me sawal liye
mujhe dekhne lagi maine kuch nahi kaha bas Avantika se thoda door hat gaya aur agle hi
pal

Main:- bahar aao maine apne seene par haath rakh kaha aur mere aisa bolte hi mere
seene ke beech ek tez roshni hui aur tabhi meri book mere andar se bahar aa gayi bahar
aakar book mere saamne ruk gayi aur agle hi pal usne khudko khol diya book ke khulte hi
meri spear usse nikalkar bahar aa gayi jise maine pakad liya par mere haathon me aate hi
spear firse waise hi vibrate hone lagi jaise uss din hui thi jab uspar uski shakti ka aadha
hissa matlab diamonds lage the aisi hi kuch vibrations mere dusre jaath me pakde sword
se bhi ho rahe the jaisa ki maine kuch der pehle bataya tha par main janta tha ki aisa kyu
ho raha hai spear ke vibrate honi ki wajah thi uski excess power instability diamonds ke
spear se alag hone se pehle jo unme sjakiyan thi wo alag hone ke baad saare sorcerers ki
shaktiyon ko sokh sokh kar aur badh gayi thi aur jab wo diamonds numa shaktiyan wapas
spear se jude toh unki shaktiyan pehle se kahi zyada thi jiski wajah se spear unstable ho
gayi thi wahi dusri taraf sword ke vibrate hone ki wajah less power consumption tha jaisa
ki maine bataya tha ki sword ki shakti ka bhaag mirrors aur taalab me tha par unke alag
hone ki wajah se wo power bat gaua tha aur ab jab wo dono powers puri tarah khatam
ho chuki hain toh unhi powers ke abhav ki wajah se sword vibrate ho rahi thi par mujhe
in dono ki stability ka ilaj maalum tha aur issliye shakti kzatam join power maine sword
aur spear dono ko hawa me ucchal diya aur iss spell ko uccharit kiya aur agle hi pal spear
aur sword ek dusare se takra gaye aur aisa hote hi har taraf tez roshni faile gayi aur jab
roshni ghati toh spear gayab ho chuki thi ya fir ye kahu ki usne apna roop badal liya tha
spear ke gayan hote hi sword nere haath me aa gayi ab sword bilkul vibrate nahi kar rahi
thi maine sword ko dekha jiske beecho beech mere spear ka nishan tez chamak raha tha
jiska matlab tha ki spear ne khudko aur khudki shaktiyon ko sword ko soump diya tha
maine sword ko aage kiya mere aisa karte hi sword meri book me chali gayi aur agle hi pal
meri book wapas mere andar jaa chuki thi apna kaam khatam kar jab main palta toh
Avantika ko mujhe muskurakar dekhte paya

Main:- koi sawal hai? Avantika ne waise hi muskurate hue naa me sar hila diya uske aisa
karne par main muskura ke uska maatha chuma

Main:- ab chalen iss baar bhi Avantika ne kuch nahi kaha bas haan me sar hila diya maine
Avantika ka haath thaama aur agle hi pal hum dono gayab ho chuke the

Avantika:- arre hum yaha kaise? aur ye toh

Main:- wahi do talwar hai jo uss waqt bhi tangi hui thi jab hum chakravyuh me ghusne
wale the Avantika ki baat maine puri ki darasal gayab hokar main Avantika ko lekar ussi
diwal ke saamne pahuncha jiske aage ke darwaze se hokar hum dono Asmodeus ke
chakravyuh me ghusse the

Avantika:- yaha toh abhi bhi do do sword hain par asli sword toh tumhe mil gayi naa fir
bhi kaise?

Main:- wo issliye kyu ki jo to swords tangi hain wo dono hi nakli hain

Avantika:- what?

Main:- hmm issliye maine kaha tha ki koi bhi darwaza chun lo

Avantika:- ohh

Main:- maine socha jab yaha ke sabhi sawalon ke jawab mil chuke hain toh iss maaya ke
bare me bhi pata hona chahiye issliye tumhe pehle yaha lekar aaya Avantika meri baat
sunkar muskura di main ek baar firse Avantika ko lekar gaayab ho gaya

Back to friends:

Ronit:- yaar ye mirrors aur talaab kaha gaye?

Shaila:- shayad unke kaam khatam ho gaye the issliye gaayab ho gaye

Akshaant:- haan aisa ho sakta hai ya fir nahi bhi ho sakta hai ye awaaz mere doston ke
piche se aayi thi awaaz sun jab sab palte toh saamne walon ko dekh khush ho gaye

Ronit:- Vj Avni humne kar dikhaya ye bol Ronit aur baaki ke teeno aage badhe aur mujhe
aur Avantika ke saath milkar sabhi ne ek group hug kiya sabhi ke body bohat glow kar rahe
the jise dekhkar
Avantika:- ye tum charon ki body itni chamak kyu rahi hai?

Akshaant:- shaayad shakti aur urja ki wajah se par aisa toh hum sabhi ke saamne nahi jaa
sakte naa

Ronit:- bhai mujhe toh kuch zyada hi urja aur shakti mehsoos ho rahi hai main control
nahi kar paa raha hun maine kuch nahi kaha aur baari baari sabke sar par haath rakha
mere aisa karte hi sabhi ke body ki chamaki aur unke andar ki urja ka prabhav kam ho
gaya dekhte hi dekhte charon pehle ki tarah normal dikhne lage

Main:- shakti urja toh tum sab ko mil gayi par usse control karne ka hunar sikhna abhi
baaki hai thoda waqt lagega tab tak apne dimag ko sayaamiit aur control me rakho jitna
zyada excited aur uttejit hoge utna zyada tumhari urja aur shakti tumpar haawi hogi meri
baat sun sabhi ne haan me sar hilaya

Main:- Dhanur aapne mere doston ka jo maargdarshan kiya uski liye main dil se aapko
dhanyawaad kehta hun

Dhanur:- aisa bolkar mujhe paap ka bhaagidaar mat banaiye lord kisi bhi tarah aapke
kaam aana mere liye soubhagya ki baat hai aur waise bhi main aapke mitron ke yudh
koushal se bohat prabhavit hua hun aur issliye main in sab ko kuch dena chahta hun agar
aapki ijazat ho toh maine haan me sar ko halki si jumbish di Dhanur ne apna haath aage
kiya aur agle hi pal unke haathon me ek dhanush aa gaya uss dhanush ko unhone Ronit ki
taraf badaha diya jise Ronit ne khushi khushi le liya issi tarah Dhanur ne aur teen dhanush
prakat kiye aur mere baaki ke teen doston ko de diye

Dhanur:- ye koi aam dhanush nahi hai isse chalane ke liye teer ki zaroorat nahi padti bas
pratyancha chadhao aur chhod do teer apne aap prakat hokar apne manzil ki taraf badh
jayega iss dhansuh se nikla hua har teer kaali aur safed shakti ke har astra ko kaat sakta
hai aur isse saath lekar chalne ki awashyakta bhi nahi hai jab bhi isse smaran karoge ye
prakat ho jayegi aur istemaal ke baad gayab Dhanur ki baat sun mere dost behad khush
ho gaye unhone apne apne dhanush ko dekh mann main gaayab hone ko kaha aur agle hi
pal dhanush gayab ho chuki thi

Dhanur:- lord mera yaha ka kaarya samapt hua aage ke liye ab aap hi mera mera
maargdarshan kare maine kuch nahi kaha bas apna haath aage kar diya mere haath se ek
tez roshni nikli aur Dhanur me sama gayi ab Dhanur ko bhi apne andar bohat shaktoyon
ka aabhas ho raha tha
Main:- ye shaktiyan aapka inaam bhi hain aur aapka hak bhi iss bramhaand me jitne bhi
white energy wale grah hain waha ke har jaadugar aur yodha ko aur nikharne ki zimmedari
aapki hai saath hi un grahon par white energy ka hi waas rahe iska bhi aap hi dhayan
rakhenge aur main janta hun ki aap ye kartavya bakhubi nibha sakte hain aap issi shan se
apni yatra aarambh kare meri baat sun Dhanur pehle apne ghutno par aaye aur fir agle hi
pal gayab ho gaye

Ronit:- toh ab

Main:- ab kuch din tak tum sab apni apni shaktiyon ko control karna sayammit karna
sikhoge aur uske baad

Shaila:- uske baad?

Main:- Shadow World

Planet: Earth Place: Menakshi Mansion

kya baat hai? aaj bohat dino baad apni maa ki yaad aayi par maine mom ki baat sun kar
bhi kuch nahi kaha bas unki Godh me sar rakh leta raha subah ka waqt hai Mirrors World
ke adventure ko pura kar hum sab kal raat hi wapas loute the Shaila Mokalsar aur
Akshaant ko maine sidhe Vrihakh bhej diya tha wahi Ronit aur Avantika ko maine aaj
subah mere ghar me milne ka bol unke unke room me teleport kar diya tha subah normal
time par dhayan me kuch der baithne ke baad main jab niche aaya toh mom ko sofe pe
baith newspaper padhte dekha mom ko saamne dekh dil kiya ki unki godh me letun toh
main leth gaya aaj najane kitne dino ke baad main apni mom ki godh me yun sar rakh kar
leta tha main iss waqt ko pure dil se mehsoos karna chahta tha issliye mom ki baat ka
maine koi jawab nahi diya par meri chuppi se mom ko laga jaise mujhe koi tension hai aur
iss soch ke ubharte hi wo ghabra gayi

Mom:- kya hua bacha koi tension hai kya? mom ne mere maathe par haath ferte hue apni
baat kahi mom ki awaaz me ek fikr thi jise mehsoos karte hi meri aankhen khul gayi maine
mom ke chehre ko dekha iss waqt unke maathe par chinta ki rekhayen ubhri hui thi main
janta tha ki iss chinta ki asli wajah sirf meri chuppi nahi hai iski fikr ki asli wajah mera kuch
mahine pehle ghar chhodkar jana tha jab se main louta hun mom ko hamesha andar hi
andar ye dar satate rehta hai ki main kahi waisa hi koi kadam fir se na utha lun aur issliye

Main:- koi tension nahi hai mom bas aaj dil kiya aapke godh me sar rakhne ka toh rakh
liya meri baat sun mom ke chehre par smile aa gayi aur wo mere baalon par apne haath
ferne lagi jise meri aakhen firse band ho gayi Lord of Angels meri pehchaan wo pehchaan
jiske chaaw tale har koi surakshit mehsoos karta hai mom ki godh me iss waqt mujhe bhi
wahi surakhsa wahi safety mehsoos ho rahi thi kya baat hai? aaj mere bacche ne meri hi
jagah le li awaaz sun maine muskurate hue apni aakhen khol di ye awaaz mere dad ki thi
jo apna gym finish kar hamare paas hi aa rahe the

Mom:- aapki jagah? ye jagah aapki sirf tab tak thi jab tak mera bacha paida nahi hua tha
samjhe

Dad:- arre aise kaise? registry hamari aur jagah hamare bete ki

Main:- dad mom ki godh aur aapka kandhain dono par hi sirf mera hak hai toh iss par no
behes meri baat sun dad aur mom dono hans diye

Mom:- yaad hai bachpan me Vicky ya toh aapke kandhe par chadha rehta tha ya fir meri
godh me leta kisi kaam ki wajah se main isse apni godh me naa uthaun ya fir aap isse apne
kandhe par naa uthayen toh iska mouh ful jata tha

Dad:- bilkul yaad hai aur sach kahu toh jab tak ye mere kandhe par nahi chadhta thamujhe
bhi sukun nahi milta tha din bhar main site par kaam dekhta tha ghar aate aate kafi thakan
mehsoos hone lagti thi par jab tak Vicky mere baalon ko kheenchte hue mere kandhe par
nahi chadhta tha mujhe sukoon nahi milta tha dad ki baat sun mom muskura di par tabhi

Dad:- beta mom ki godh me toh tu let liya ab ek baar apne baap ke kandhe par bhi chadh
jaa main wahi purana sukoon ek baar firse mehsoos karna chahta hun dad ki baat sun
mom hans padi

Mom:- kaisi behki behki baatein kar rahe hain aap aapka beta ab koi chota bacha nahi
raha kadh me aapse bhi lamba ho gaya hai aap isse kandhe par uthayenge?

Dad:- haan toh kya hua? jitna bada bhi ho jayerahega toh mera beta hi haan thoda zyada
bhaari ho gaya hai par main manage kar lunga

Mom:- thoda bhaari apna pura vazan agar isne aap ke upar daal diya naa toh aapke kamar
ki halat kharab ho jayegi

Dad:- aisa kuch nahi hoga aaj betachadh jaa mer kandhe par ye bol dad sach me sofe ke
neeche baith gaye taaki main unke kandhe par baith sakun

Mom:- arre ye kya zidh lekar baith gaye aap aap Vicky ko nahi utha payenge ulta aapki
kamar me moch aa jayegi
Main:- relax mom kuch nahi hoga ye bol main uth kar baith gaya isse pehle ki mom kuch
kehti maine apni baat kahi aur turant main dad ke peeth par dono pair aage rakh baith
gaya aur agle hi pal mom ko ek jhatka laga jhatka sirf mom ko hi nahi khud dad ko bhi laga
tha aur reason mere peeth par baithathe hi dad ek jhatke me khade ho gaye main peeth
par baitha hi ye dhayan me rakhkar dad apne pairon par pressure dekar khade hue the
taaki mera bhaar sambhal sake par jhatka unhe tab laga jab unhe mere bhaar bas halka
sa hi feel hua tha wo bade araam se mujhe apne peeth par bithaye khade ho gaye aur
unhe aisa karta dekh mom bhi surprised ho gayi

Mom:- ye aapne kaise kiya? aap itni aasani se Vicky ko liye kaise khade ho gaye?

Dad:- mujhe toh Vicky ka bhaar hi thek se pata nahi chal raha aisa lag raha hai jaise maine
apne ussi bachpan wale bacche ko uthaya hai

Main:- aapke liye toh main aapka bacha hi hun naa dad ab ye sab chhodiye aur mujhe
bahar lawn me waise hi ghumayiye jaise bachpan me ghumaya karte the

Mom:- arre beta kandhe par uthana alag baat hai aur uthakar ghumana alag

Dad:- arre kuch nahi hota maine nahi kaha ki mujhe Vicky ka wazan pata hi nahi chal raha
hai ye bol dad aage badh gaye ghar ke saare servents including Martha aunty bhi dad ko
mujhe yun lift karte dekh khush bhi the aur shocked bhi jahan ek taraf mujhe yun kandhe
par uthakar dad bohat khush the wahi mom ghabrayi hui si dad ke piche ho li dad mujhe
uthaye bahar lawn me pahunch gaye jahan par iss waqt Dada ji baithe hue the wo bhi dad
ke upar mujhe yun baithe dekh shocked ho gaye

Dada ji:- arre ye kya ho raha hai?

Mom:- dekhiya naa papa inhone zidh ki ki apne bete ko bachpan ki tarah ek baar firse
apne kandhe par baithakar ghumayenge aur ye Vicky bhi bina kuch soche chadh gaya
apne dad ke peeth par main kabse in dono ko mana kar rahi hun par ye baap bete maan
hi nahi rahe mom ko laga ki Dada ji unki baat sun mujhe aur dad ko daatenge par

Dada ji:- kuch nahi hota beta apne bete ko apne kandhe par uthane ka maza tu nahi
samjhegi par maanna padega beta tune Vicky ko aise hi apne kandhon par utha liya aur
ab usse uthaye uthaye ghum bhi raha hai Dada ji ki baat par dad aur unke saath main bhi
muskura diya par hum dono ke muskurahat ki wajah alag alag thi jahan dad mujhe aaram
se utha paane ki khushi me muskura rahe the wahi main issliye kyu ki dad ke mujhe yun
aaram se uthane ki wajah sirf main janta tha mera wazan maine hi kam kiya tha taaki dad
ko taklif naa ho dad mujhe uthaye aage badhne hi wale the ki papa main bhi mujhe bhi
godi lo ye awaaz Aashi ki thi jo hamare piche se aayi thi wo daudti hui hamare paas aa
rahi thi aur isse pehle ki mom kuch kehti Aashi halki si uchli aur dad ne usse bhi apne dono
haathon se pakadte hue godh me le liya waise toh Aashi ka wazan kuch zyada nahi tha
par maine uska wazan bhi kuch kam kar diya tha jahan Aashi ko dad ke godh me dekh
mom ne apna maatha peet liya wahi Dada ji hans diye Aashi ko godh aur mujhe peeth par
liye dad ne pool ka ek chakkar lagaya ab mom bhi dad ke piche naa aakar Dada ji ke paas
hi khadi ho gayi wo bhi haste hue dad ke ya fir ye kahu ki hum teeno ke bachpane ko dekh
rahi thi pool ke do chakkar kaatne ke baad main aur Aashi dad ke peeth aur godh se utar
gaye iske baad kuch khaas nahi hua main Aashi ke saath khelne laga aur dad mom aur
Dada ji ke saath bahar lawn me hi baith gaye kuch der baad main apne room fresh hone
gaya aur bath lekar niche aaya maine apna breakfast khatam hi kiya hi tha ki itne me Ronit
pahunch gaya Ronit ke pahunchne ke 10 minute baad mujhe pata chal gaya ki Avantika
bhi to minute baad pahunchne wali hai issliye mom ko batakar main Ronit ko lekar bahar
aa gaya hum dono gate se nikal ghar ke bahar khade hi hue the ki itne me Avantika ki car
hamare saamne aakar ruki

Avantika:- tum dono bahar

Ronit:- bhool gayi kya ki aapke hone wale pati parmeshwar antaryaami hain unhe pehle
hi pata chal gaya tha ki unki dile gulzar pahunchne wali hai toh isne apne saath saath
mujhe bhi chowkidaar ki duty dekar yaha khada kar diya

Main:- shukr mana ki issi bahane tujhe job toh mili warna din bhar toh tune vella hi
ghumna hai

Ronit:- haan tu bada collector lag gaya kyu?

Main:- lag jata par usse pehle hi tu mil gaya aur mera shani bhaari ho gaya

Avantika:- kya tum dono din bhar ladte ladte thakte nahi ho

Main:- ab aap apne hisse ka pyar hume deti nahi toh uska kuch toh side effect hoga naa
meri baat sun jahan Avantika sharma gayi wahi Ronit zor se hans diya

Ronit:- bhai tum dono ke romance karne ke liye puri zindagi padi hui hai filhal mujhpar
bhi dhayan do yaar Vj jab se ye shakiyan mujhe mili hainmain inhe mehsoos karne ke liye
tadap raha hun kal raat bohat baar try bhi kiya ki in shaktiyon ko ujagar kar inhe feel karun
par kar nahi paya
Main:- janta hun aur un teeno ne bhi kal yahi koshish ki hai aur issliye hi maine teri aur un
teeno ki shaktiyon ko bhi baandh diya tha mujhe pata tha ki tum sab apna apna sadha hua
dimag zaroor lagaoge janta hai agar kal maine tum charon ki shakti nahi baandhi hoti toh
kya hota? kyu ki tujhe milne wali shakiyan abhi tere bas me nahi hain issliye tere unhe
yaad kar ujagar karte hi wo shaktiyan disbalance ho jati jise tu unhe sambhal nahi paata
aur iss wajah se teri shaktiyan tujhe hi nuksaan pahuncha deti itna hi wo shaktiyan tere
ghar ko bhi khandar me badal deti

Ronit:- oye teri ki toh saale tune mujhe pehle kyu nahi bataya? agar galti se mujhse meri
shaktiyan ujagar ho jati toh?

Avantika:- duffer Vj ne teri aur un teeno ki shaktiyan kisi rassi se nahi baandhi thi jinhe tu
tod kar apni shaktiyon ko azaad kar deta usne tum charon ki shaktiyan apni shakti se
baandhi thi jise jab tak Vj naa chaahe koi tod nahi sakta

Ronit:- haan wo toh hai par kya karun yaar jab se ye nayi shaktiyan mili hai inhe mehsoos
karne ke liye main tadap raha hun

Main:- thoda sa ruk jaateri ye tadap toh khatam ho hi jayegi par saath hi ek nayi tadap bhi
tujhe mil jayegi

Ronit:- hain iska kya matlab hua?

Main:- sab pata chal jayega beta pehle waha chalte hain jahan tum charon ko apni
shaktiyon par kaabu paana sikhna hai Shaila Akshaant aur Mokalsar pehle hi waha
pahunch gaye hain

Ronit:- kaha Magical Dimension me

Main:- ye koi normal fighting practice nahi hai jo Magical Dimension me ki jaye tumhare
andar ki shaktiyan aloukik hain inhe kisi bhi magical jagah par control karna nahi sikha jaa
sakta yaha tak ki kisi normal planet ne bhi aisa karna bohat khatarnaak hoga kyu ki jaise
hi main in shaktiyon ko bandhan mukt karungaye asantulit ho jayegi ye shaktiyan naa sirf
tum sab par haavi hongi balki aas paas ki sabhi jagahon par bhi inka asar hoga

Ronit:- phir hum kaha isse control karna sikhenge?

Main:- sab batata hun pehle yaha se chalo ye bol main Avantika ki car me baith gaya mere
piche piche Avantika aur Ronit bhi car me baith gaye aur hum sab paas ki hi mall ke taraf
nikal pade mall ki parking me humne gaadi park ki aur agle hi pal hum teeno gaayab ho
chuke the par hamare gaayab hone ke agle hi pal hum teeno ke Clones wapas hamari car
me prakat hue aur mere Clone ne car wapas bahar ki taraf nikal di wahi gaayab ho hum
ek nayi jagah pahunche jahan mere baaki ke teeno dost pehle se hi khade the maine hi
un teeno ko unke grah se antardhayan kar yaha pahunchaya tha aur un teeno ke dimag
se jud unhe hamara intezar karne ko kaha tha hume apne saamne dekh teeno ke chehre
par muskaan aa gayi par un sab ke aakhon me bhi wahi sawal tha jo iss waqt Ronit ki
aakhon me tha sabhi mujhse iss bare me puchne hi wale the ki

Main:- toh doston waqt aa gaya hai ki tum sab apni apni shaktiyon ko niyantrit karna sikho
aur ek baat bata dun ki iss kaam me main tum sab ki koi help koi sahayata nahi karne wala
jis tarah tum sabne apne dum par Mirrors World ki chunoutiyon ko paar kiya aur in
shaktiyon ke malik banethek waise hi tum sab ko ab firse ek baar apne dum par apni
shaktiyon par niyantran karna sikhna hoga waise iss kaam me tumhari jaan ko koi khatra
nahi hai kyu i niyantrit ya aniyantrit shaktiyan toh tumhari hi hain haan par jab tak tum
apne andar ki shaktiyon ko control karna nahi sikhte tab tak ye tumhe lagatar nuksaan
pahunchayengi par iss jagah ki shakti ki wajah se ye shaktiyan apni hadh paar nahi kare gi

Shaila:- thek hai hum khud apni shaktiyon ko koniyantrit karna sikhenge par kamsekam
itna toh batao ki aakhir ye jagah hai kaunsi aur iss jagah ki aisi kya khasiyat hai jiski wajah
se hamari shaktiyan tak apni hadh nahi todengi? Shaila ka sawal baaki teeno ka bhi tha
sabhi meri taraf sawal bhari nazro se dekh rahe the

Main:- iss jagah ki khaasiyat tum sab khud dekh lo ye bolo maine apna haath aage kiya
mere aisa karte hi mere haathon se chaar rays nikli aur mere doston ki taraf badh gayi aur
jaise hi un rays ne mere doston ke bodies ko chua mere doston ko ek tez jhatka laga aur
agle hi pal mere doston ki shaktiyan azaad ho chuki thi aur aisa hote hi mere doston ki
bodies halki halki vibrate honi shuru ho gayi par isse pehle ki wo shaktiyan disbalance
hokar mere doston par haawi hotimaine apna haath firse aage kiya mere aisa karte hi
mere doston ki shaktiyan bandhi toh nahi par ek jagah pahunch ruk si gayi

Main:- neeche dekho mere bolte hi jab mere doston ne neeche dekha toh sabhi shocked
reh gaye reason mere doston ke ird gird zamin se ek white dhua uth raha tha

Akshaant:- ye toh

Main:- white energy hai ye puri jagah white energy se ghiri hui hai tum sabke andar ki urja
ke bandhan mukt hote hi yaha par base white energy ko iske bare me pata chal gaya inhe
ye bhi pata chal gaya ki tumhare sharir ke andar basi white energy abhi stable niyantrit
nahi hai agar maine tumhare andar chuppi urja ko ek jagah nahi roka hota toh wo tumhare
sharir ke har hisse me fail jati aur kyu ki abhi tumne unpar puri tarike se kaabu nahi paya
hai issliye wo tumhare sharir ko bohat nuksaan pahunchati par iss jagah par moujud
whiete energy ki wajah se tumhara sharir uss nuksaan ko jhel leta issliye main tum sab ko
yaha lekar aaya taaki jab tum apne shaktiyon par niyantran karne ki koshish karotoh uss
kriya ke hote waqt tumhe kam se kam nuksaan ho main tumhare urja ko firse behne ki
ijazat dene wala hun ek jagah baith apni aankhen band karo aur apni andruni urja ko
mehsoos kar usse apne chit se jodne ki koshish karo jaise hi tum sab apne sharir me behte
urjo ko apne dimag se jod paane me kaamiyab ho jaaogetum sabka apni shaktiyon par
niyantran ho jayega main aur Avni filhaal jaa rahe hain hum dono tabhi loutenge jab tum
sab apni shaktiyon par kaabu paa chuke hoge

Ronit:- thek hai bhai par kamse kam jaate jaate iss jaga iss planet ka naam toh bata jaa

Main:- Yeluptus

Planet: Monslickel Place: Asmodeus palace

father Vikram ne Mirrors World ki chunouti paar kar li

Asmodeus:- puch rahe ho ya bata rahe ho? Beelzebub ki baat par jab Asmodeus ne apni
baat kahi toh Beelzebub hadbada gaya usse samjh aa gaya ki aawesh me aakar aur
adeertawash usne Asmodeus jise koi baat nahi chhupti uske saame naasamjhon wali baat
kar di hai par isme Beelzebub ka bhi koi dosh nahi tha Vikram ko lagatar har chunouti ko
yun aasani se paar karta dekh wo vichlit sa ho gaya tha

Beelzebub:- father kya main kuch puch sakta hun? Beelzebub ki baat sun Asmodeus
muskura diya wo janta tha ki Beelzebub kya puchna chahta hai fir bhi usne haan me sar
hila Beelzebub ko sawal puchne ki anumati di

Beelzebub:- father aapke kahe anusar jab maine Mirrors World me maayajaal bichaya aur
ek diwal banakar uske upar do do maayavi talwaare latkayi wo dono talwaaren sirf chhal
aur Vikram ko chakrvyuh me fasane ke liye nahi thi balki wo dono talwaren asal me drishti
darpan the jinki madad se hum Vikram Mirrors World me jo bhi karta hai usse dekh paate
aur saath hi Agrasena ke talwar ka rahasya bhi jaan paate par jaise hi Vikram asli talwar
ke paas pahuncha toh hamari maaya ne kaam karna kyu band kar diya? jabki hamari dono
maayavi talwaren tab bhi Mirrors World me surakshit thi fir bhi hamari maaya toot gayi
par jaise hi Vikram ne uss talwar ko haasil kiya toh hume waha ka drishya firse dikhne laga
aisa kaise hua? Beelzebub ki baat sun ek baar firse Asmodeus ke chehre par muskaan aa
gayi aur
Asmodeus:- jis sword me itni taakat ho ki wo Asmodeus ke aage tak samarpan naa kare
kya wo tumhari bichayi maamuli si maaya ko tod nahi payega?

Beelzebub:- fir aapne mujhe waisi maaya rachne ke liye kaha hi kyu tha?

Asmodeus:- wajah wahi thi uss sword ka rahasya janana aur kisne kaha ki maayavi
talwaron ne apna kaam nahi kiya hume drishya dikhne band hone se pehle hi unhone
apna kaam kar diya tha Asmodeus ki baat Beelzebub ko bilkul bhi samjh me nahi aayi usne
kuch kaha toh nahi bas aakhon me sawal liye apne father ki taraf dekhne laga Beelzebub
ko kuch bhi samjh me nahi aaya tha iss baat se Asmodeus bhi awgat tha aur issliye

Asmodeus:- Vikram ke chute hi sword ne tumhari maaya ko tod diya par ye kriya hone se
pehle hi sword ne apni asliyat saamne laa di thi jin do maayavi swords ko tum Mirrors
World me chhod kar aaye the un swords ki maaya drishti sirf asli sword tak hi simit nahi
thi balki uski drishti pure Mirrors World pe thi aur jaise hi Vikram ne hamare chakravyuh
me kadam rakhatoh uske seene ke beech ek hulchal hone lagi kyu ki Vikram hamare
maaya jaal ke andar tha issliye mujhe uske sharir me ho rahe har parivartan ka pata chal
raha tha Vikram ke andar yun achanak hone wali hulchal ko main samjhne ka prayas kar
hi raha tha ki thek tabhi mujhe ussi waqt Agrasena ki sword me bhi hulchal hote dikhe aur
saath hi achanak uske andar chhupi shaktiyan ujagar hone lagi aur tab mujhe sab samjh
me aa gaya Vikram ke andar jo spear haiusne aur sword ne ek dusre ko mehsoos kar liya
thajiski wajah se dono bekabu ho rahe the par Vikram ki shaktiyon ki wajah se wo ek dusre
ke paas nahi pahunch paa rahe the aur jab Vikram hamari saare chakravyuh ko tod sword
ke saamne pahuncha toh sword aur spear ki shakti ko maine mehsoos kiya tha aur tab
mujhe samjh me aaya ki spear aur sword ki shaktiyan ek jaisi hain jiska arth ye tha ki wo
sword Agrasena ki nahi balki Vikram ki milkiyat hai issliye maine kaha tha ki drishya dikhne
band hone se pehle hi un maayavi talwaaron ne apna kaam kar diya tha Asmodeus ki baat
sun Beelzebub ne samjhne wale tarike se haan me sar hilaya

Beelzebub:- father ye saari chizen main kyu nahi dekh paya?

Asmodeus:- tum bhale hi mere putr ho Beelzebub par tumhare paas Asmodeus ki nazar
nahi hai tum wahi dekhte ho jo dikhta hai par main wo bhi dekhta hun jo chupa hua hota
hai

Bbeelezbub:- aur Vikram ke dost unka kya karna hai?

Asmodeus:- unka kya?


Beelzebub:- father pehle wo sirf aam yodha the kintu ab unke andar aloukik shaktiyan
hain aisi shaktoyan jo sirf ek angel ke andar hoti hain aisi aloukik shaktyon ke swami hone
ka unhe koi hak nahi Beelzebub ki baat sun Asmodeus ke chehre par ek muskaan tair gayi

Asmodeus:- hak mere ek sawal ka jawab do? iss bramhaand ke aneko jeevan dayi grahon
me kul kitne dharm hain? Asmodeus ki baat sun Beelzebub hadbada gaya usse bilkul bhi
ummid nahi thi ki Asmodeus usse kuch aisa bhi puch sakta hai

Beelzebub:- father ye bramhaand maanyataaon ki chaadar se khudko puri tarah dhake


hue haiye aapne hi mujhe bataya tha fir main kaise dharmon ki ginti kar sakta hun?

Asmodeus:- fir bhi andaza lagao

Beelzebub:- fatherandaza lagana bhi toh asambhav hai saikdon jeeven daayi grah jinme
hazaron dharmon ko maanane wale log baste hain

Asmodeus:- hmm aur in hazaron dharmo me kaun sa dharm sabse upar hai? Asmodeus
ke iss sawal ka Beelzebub ke paas koi jawab nahi tha wo sawal sunane ke baad bhi chup
hi raha aur iss baat ko Asmodeus bhi bhali bhaati janta tha aur issliye

Asmodeus:- karm iss bramhaand ka sabse bada dharm "karm" hai karm wo dharm hai jise
puri lagan aur nishtha se karne wale vyakti ko ishwar ke aage bhi haath failana nahi padta
kyu ki karm karne par nikalne wala pasina kisi puja se kam nahi hota aur bhakti ka phal
mile naa mile kintu karm ke pasine ki puja ka phal milna anivarya hota hai ek baat
hamesha yaad rakha putrki agar kisi doud me hissa lo aur haar jaaotoh iss baat ka aakalan
mat karo ki jeetne wala tumse kitna tez tha apitu iss baat ka aakalan karo ki tum jeetne
wale se kitne dheeme the

Beelzebub:- kintu baat toh ek hi hai naa father

Asmodeus:- baat ek hi hai par maayne alag alag hain jis manzil ke path par tum agrasar
hous manzil ko paane ke liye tumhare saath aur bhi pratispradhi ho sakte hain kintu jis
vyakti ki drishti apne manzil ke saath saath apne pratispradhi ki raftaar aur hunar par bhi
tiki howo kabhi bhi jeet nahi payega kintu jis vyakti ki drishti kewal apne manzil par tiki ho
aur jo idhar udhar naa dekh kewal apne hunar ko nikharne aur khudki raftaar badhane
me laga hua howo apne aap hi apne saare pratispradhiyon se aage nikal sabse pehle
manzil tak pahunchega apne manzil tak pahunchne ke liye jisme khud tak ko mita dene
ka jasba ho uske saamne manzil swayam natmastak ho jati hai aur yahi jasba Vikram ke
mitron ne dikhaya tha unhone un aloukik shaktiyon ko prapt karne hetu apni saari
shaktiyan jinke bina unke jeeven ka koi arth hi nahi hotausse tak daav par lagaya tha aise
prayas ko uski manzil milni hi chahiye tum keh rahe the naa ki aisi aloukik shaktiyon ke
swami hone ka unhe koi hak nahi hak maanga nahi jatahaasil kya jata hai karm hi sabse
bada dharm hai aur ek karmath vyakti har shaktishali chiz ka hakdaar hai bohat kam aise
mouke aate the jab Asmodeus paap aur punya se upar uthkar kuch kehta tha aur ye wahi
mouka tha Beelzebub janta tha ki jo bhi Asmodeus ne kaha tha wo naa punya ke hisse me
aata tha aur naahi hi paap ke Asmodeus ki kahi har baat katu satya thi aur ek devil ka
sabse bada shatru katu satya hi toh hota hai ek aisa shatru jo devil ko andar tak hila deta
hai aur aisa hi kuch ehsaas iss waqt Beelzebub ko apne andar mehsoos ho raha tha wo iss
baat ko aur aage nahi badhana chahta tha issliye

Beelzebub:- toh ab aage kya father? Beelzebub ki baat sun Asmodeus ne ek baar uski taraf
dekha aur

Asmodeus:- iska jawab toh Vikram pehle hi de chuka hai

Shadow World Planet: Yeluptus Place: Stormy Desert

yaar mere andar firse vibrations shuru ho gaye hain mere bhi mere bhi mere bhi Ronit ke
baad same baat baaki teeno ne bhi repeat ki mere Avantika ko lekar gaayab hote hi mere
charon doston ke andar ek jagah ruki hui un sab ki shaktiyan ek baar firse aage badh gayi
dheere dheere wo shaktiyan mere doston ke pure sharir me failne lagi jis wajah se un sab
ke body me pehle vibrations hone lagi aur fir dheere dheere un charon ka sharir bhaari
hone laga jiska matlab tha ki unka sharir unke shatkiyon ke wazan ko sambhal nahi paa
rah hai

Ronit:- ye dekho iss jagah ki white energy bhi bahar aane lagi hai hume jaldi se dhayan
mudra me baithna hoga aur jaisa Vj ne kaha haiapni shaktiyon ko apne dimag se jodna
hoga warna hamari shaktiyan hamari hi band baja dengi Ronit ki baat par sabhi ne sehmati
jatayi aur agle hi pal mere charon dost jahan khade thewahi dhayan mudra me baith gaye
sabne ek saath apni apni aakhen band kar li aur apni apni shaktiyon ko mehoos karne me
lag gaye waise toh dhayan lagana mere charon doston ke liye hi koi badi baat nahi thi
charon dhayan lagane ki kala me nipun the par aaj baat kuch aur thi aaj unke andar
aseemit asthi r shatiyan thi jinme lagatar hulhul ho rahi thi aur issi bhayanak hulchul ke
beech un charon ko apne apne chit ko shaant kar apni unhi ashtir shaktiyon ko unke
gantavya matlab apne mastishk tak pahunchana tha aur ye koi saral kaarya nahi tha par
jin chunoutiyon se hote hue mere dost aaj iss mukaam par pahunche hainuske baad
kathin se kathin kaam karne me bhi unhe maza aane laga tha charon apne chit ko ekaagra
karne ki puri koshish karte hue apni apni shaktiyon ko mehsoos karne me lage hue the iss
waqt mere doston ko unke saare sharir me tez chamakti hui urja dikh rahi thi wo ussi tez
urja ke beech usme nahate hue aage badh rahe the unka kaam ye tha ki yunhi dhayan
mudra me rehte hue wo sab uss urja roopi raaste se guzarte hue apne mastishk apne
dimag tak pahunche aur fir apne apne dimag ko uss urja ropi shakti ka sparsh karaye unke
aisa karte hi unka mastishk un saari shaktiyon ko sokh leta jise unki shaktiyan unke control
me aa jati par ye safar kafi lamba tha dhayan me baithe mere charon dost bohat tezi se
apne andar ki urja ke raaste se hote hue aage badh rahe the par fir bhi iss raaste ka unhe
koi anth nahi dikh raha tha uske upar wo urja roopi raasta mere doston ki raftaar ko
dheere karne me laga hua tha mere doston ko aisa lag raha tha jaise wo urja unhe kheench
kar rokne ka prayas kar rahi hai par fir bhi jaise taise mere dost aage badh rahe the ye sab
toh mere doston ke andar chal raha tha chaliye dekhte hain ki bhaahar ka drishya kaisa
hai? arre ye kya? iss waqt mere doston ka sharir uss jagah par nahi hai jahan dhayan me
baithne par tha infactis waqt mere doston ka sharir zamin me hi nahi thabalki upar hawa
me utha hua tha aur dheere dheere aur upar uthata jaa raha tha ye sab mere doston ke
sharir me behti urja ki wajah se ho raha tha mere doston ke dhayan me baitnhe ki wajah
se ab wo shaktiyan wo urja mere doston ke andar bhaar paida nahi kar paa rahi thi issliye
ab un shaktiyon ne mere doston ke sharir ko hawa me utha diya tha wahi in saare
parivartano se anjaan mere dost apne apne chith ki aur badhe jaa rahe the par ab unki
raftaar kafi kam ho chuki thi unke andar ki shaktiyon ne unhe naa sirf mere doston ko
slow kar diya thabalki ab wo shaktiyan mere doston ko ek jagah par rukne par majboor
kar rahi thi aur thodi der baad ye bhi ho gaya kuch aur der tak sangharsh karne ke baad
mere doston ki aantarik shakti ne jawab de diya aur natijaunki aantarik shakti ek jagah
aakar ruk gayi aur tabhi ahhh ye chaar dard bhari karah mere charon doston ke mouh se
nikli aur issi ke saath unki aankhen khul gayi par agle hi pal arre ye ye aadhi adhuri baat
mere doston ke mouh se nikli aur reason jaisa ki maine bataya tha ki mere doston ka sharir
hawa me utha hua tha aur har lamhe dheere dheere lagatar aur upar uthatha chala jaa
raha thatoh iss waqt mere dost zameen se kafi upar tak uth chuke the aur jaise hi un
charon ka dhayan bhang hua aur un sab ki aankhen khulitoh agle hi pal un sab ka sharir
yunhi baithe baithe hi niche zameen ki taraf tezi se girne laga khudko yun hawa me itne
upar utha hua dekh sabhi chonke aur un sabke mouh se arre ye ki adhuri baat nikli jo puri
issliye nahi ho payi kyu ki unke aage kuch kehne se pehle hi unka sharir wapas zameen ki
taraf girne laga khudko neeche girne se rokne ke liye mere doston ne ek ke baad ek kuch
spells bole par koi faayda nahi hua unhe aisa lag raha tha maano unhiki unstable shaktiyan
unhe neeche dhakel rahi hai aur issi wajah se unke spells kaam nahi kar rahe koi upaaykoi
spell ke kaam naa karte dekh jo hoga dekha jayega ke tark par charon ne apni apni aakhen
band kar lin aur zameen se hone wale impact ke liye khudko tayar karne lage par tabhi
arre ye kya? ye baat Shaila ne kahi thi par same question aur reaction sabhi ka tha reason
tezi se neeche girta mere doston ka sharir jise zamin par zor se girna chahiye tha wo zamin
se ek feet upar upar hawa me ruk gaya ya ye kahu rok diya gaya issi baat ka shock mere
doston ko laga tha par jaise hi un sab ki nazar neeche gayi toh naa sirf un sabka shock
door ho gaya balki charon ke chehre par muskaan bhi aa gayi reason is waqt un sabke
neeche hawa me utha hua ek mote se gaddhe ka roop liye white energy ka layer tha aur
issi gaddhe numa white energy ke layer ne hi mere doston ko hold kiya hua tha neeche
ke white energy ko dekhte hi mere dost samjh gaye ki ye white energy ka layer Yeluptus
ki hi den hai aur issi ne unhe unki asthi r shakiyon ke maaya se bachaya hai wahi mere
doston ko hold karte hi Yeluptus ki white energy ne dheere se un charon ko wapas zamin
par rakh diya zamin par rakh wo white energy wapas zamin ke andar chali gayi khud ko
safe dekh mere dost kuch kehne hi wale the ki tabhi jaise hi Yeluptus ki white energy
zameen ke andar gayiwaise hi mere doson ke sharir ek baar firse vibrate hone shuru ho
gaye mere dost samjh gaye the ki jab tak wo unki shaktiyon ko control nahi kar leteunhe
ek second ka bhi break nahi milega aur issliye agle hi pal mere charon dost wapas dhayan
me baith chuke the

Planet: Isla Place: Floating Mountain

arre ye toh wahi jagah hai naa jahan hum Courious jane se pehle aaye the hum gayab
hokar jahan pahunche the uss jagah ko dekhkar Avantika ne shock par saath hi khush
hokar apni baat kahi

Main:- hmm iss waqt hum Isla ke sabse khubsoorat jagah floating mountain ke edge par
khade the floating mountain matlab aisa mountain jo hawa me tair raha ho saamne ka
nazara bhi adhbhudh hamare pairon ke neeche se hi kuch chowdi jagah khuli hui thi jiske
akhri chhor se jharna beh raha tha saamne hamare pahad ki hi tarah kayi pahad hawa me
tair rahe the last time ki hi tarah aaj bhi yaha hawa me halki halki thandak thi jo mousam
ko behad khushnuma bana rahi thi yaha aakar Avantika behad khush ho gayi thi wo apne
haseen muskurate chehre ko liye idhar udhar dekh rahi thi wahi mere liye toh sabse
haseen nazara khud Avantika hi thi main ussi ke khile hue chehre ko dekhne me khoya
hua tha kuch der tak idhar udhar dekhne ke baad jab Avantika ki nazar mujhpar padi toh
usne mouhe khudko dekhte hue paya usne aakhon se hi mere yun ek tak usse dekhne ki
wajah puchi par main usse bas niharta hi raha mujhe jawab naa deta dekh Avantika ke lab
sawal puchne ke liye khulne ko hue hi the ki tabhi hamare saamne hawa me ek roshni
ubhri aur uss roshni ke beech se Defender bahar aaye aur prakat hote hi wo hum dono ke
aage jhuk gaye

Main:- khade ho jaaiye mere bolte hi Defender khade ho gaye iss waqt hume apne saamne
ya fir ye kahu ki hume Isla me dekh Defender ke chehre par khushi saaf dikh rahi thi

Defender:- lord aap yun achanak yaha agar aapne mujhe pehle se apne aagman ke bare
me suchit kiya hota toh main pure Isla ko aapke swagat hetu saja deta

Main:- issliye hi nahi bataya waise toh aapko Isla ko sajane ke liye pal bhar bhi nahi lagega
par iski koi zaroorat nahi hai main yaha kisi se bhi bhet karne hetu nahi aaya pichli baar
jab main yaha aaya tha tab mujhe ye jagah bohat pasand aayi thi aur issliye main yaha
Avni ke saath kuch pal akele me bitane aaya tha

Defender:- shama kare lord maine aapke ekant samay me hastakshep kiya

Main:- aapko shama maange ki koi awashayakta nahi hai Defender hum dono ko yaha
dekhkar aapko jo khushi hui usse mehsoos karkar mujhe bohat acha laga

Defender:- aap bhale hi apni pehchaan apna ohda bhul jaye ya khudko kam aanke kintu
isse satyata toh nahi badal jayegi lord aap parmeshwar putr hain iss grah me toh kya aap
iss samast bramhaand me sabse khaas hain aur aise khaas vyaktitv ke swami ko apne
saamne dekh main hi kya har koi khush hoga maine Defender ki baat par kuch nahi kaha
bas halka sa muskura diya

Defender:- aap dono ke ekant samay me maine pehle hi kafi der tak hastakshep kar liya
hai lord ab mujhe ijazat den maine iss baar bhi kuch nahi kaha bas apne sar ko halki si
jumbish di mere aisa karte hi Defender ek baar firse ek baar mere aur Avantika ke aage
jhuke aur ussi position me wo gaayab ho gaye Defender ke gaayab hote hi maine ek lambi
saans chhodi aur ek khedpurn ek shikayat se bhari muskaan ke saath

Main:- parmeshwar putr khudko aisa bolte waqt mujhe koi khaas khushi mehsoos nahi
hui thi aur iss baat ko Avantika ne bhi note kiya tha aur iss baar jab maine apni gardan
ghumayi toh Avantika ko mujhe ektak dekhta paya par Avantika ki tarah maine usse koi
sawal nahi kiya main bhi usse ussiki tarah dekhne laga kuch der tak ek dusre ko dekhte
rehne ke baad

Avantika:- hum toh aap hi ke hain janab wo bhi hamesha ke liye booking bhi confirmed
hai ek dusre ki aankhon me khoye rehne ke liye saari umr padi hai par filhal agar aapki
ijazat ho toh toh kya main kuch puch kar sakti hun? Avantika ki baat sun main hans diya
aur

Main:- pucho?

Avantika:- pucho? jaise janab ko pata nahi hai ki main kya puchne wali hun? khair agar
aap hamare mouh se hi hamare sawal sunana chahte hain toh yahi sahi parmeshwar putr
itna bada darja mila hai tumhe fir bhi tum iss ohde iss pehchan se khush kyu hai ho?

Main:- kabhi kabhi sab kuch paa lena adhurepan ko janm deta hai jis ohde ki tum baat kar
rahi ho wo mujhe ussi adhure pan ki taraf dhakelta hai mujhe meri pehchaan milne ke
baad jitni bhi negative chizen hui hain aur ab bhi ho rahi hainusse dekhkarmehsoos karkar
lagta hai ki main iss pehchaan ke bina hi thek tha iss pehchaan iss ohde ka bojh bohat
zyada hai jise uthane me kabhi kabhi bohat taklif hoti hai

Avantika:- itne bade samman ko paane kaitne unche ohde ke milne ka jo tumme zara sa
bhi lalach nahi hai naa issi wajah se hi ye sammanye ohda tumhe mila hai

Main:- kyu ki maine ye kaha ki mujhe ye ohda nahi chahiyeissliye tum iss natije par
pahunchi ho? ye bhi toh ho sakta hai ki deep inside mujhe iss taakat ka nasha chadha hua
ho

Avantika:- acha mere ek sawal ka sahi sahi jawab doge? but no lies haAnjust an honest
answer maine kuch nahi kaha bas apni palkon ko ek baar niche kar Avantika ko haan kaha

Avantika:- agar ek taraf meri jaan khatre me hoaur dusri taraf saikdon log mout ke kagaar
par khade honaur tum sirf ek side ko hi bacha sakte ho toh kisse bachaoge? mujhe ya fir
dusre side ke logon ko? Avantika ne jo sawal pucha tha uske bare me main pehle se janta
tha par phir bhi uske sawal ko sunkar ke pal ke liye main andar se bechain sa ho gaya

Avantika:- mujhe ek honest answer chahiye maine ek lambi saans chhodi aur

Main:- main dusri taraf ke logon ko bachaunga mera jawab sun Avantika ko zara bhi bura
nahi laga ulta uska chehra khil utha

Avantika:- kya main iski wajah jaan sakti hun?

Main:- bhale hi tum mere liye sabse khaas ho par ek ki jaan ka souda saikdon se nahi kiya
jaa sakta sirf tumko bachakar khudko aur tumhare chand gharwalon ko khush rakhne ke
liye main un saikdon ki bali dekar unke hazaron ki ginti ke gharwalon ko taklif nahi de
sakta mere jawab ko sun Avantika ke chehre par garv ke bhaav ubhre aur
Avantika:- issliye hi tum Lord of Angels ho tumhare faisla lene ki shakti insaani jasbaaton
se ghire hone ke baawajud daivik hai kyu ki sirf ek tumhi hojo khudke swarth ko side rakh
iss universe ki bhalayi ke liye niswaarth bhaav se faisle lete ho tumhara koi bhi faisla
rishton ki dor me bandha nahi hota aise faisle jise personally tumhe bohat taklif hoti
haipar fir bhi tum wahi karte ho jo sahi hota hai ab aise vyaktitv ke malik ko shaktiyon ka
bhandar soumpna galat nahi ho sakta Avantika ki baat sun main halka sa muskura diya

Avantika:- ab mera dusra sawal main kal se hi tumhare aankhon me halki si bechaini dekh
rahi hun aisa kyu?

Main:- main soch hi raha tha ki abhi tak tumne mujhse iss bare me kaise nahi pucha?

Avantika:- ab toh puch liya naa ab batao bhi

Main:- Shadow World jahan hume jana hai dimag baar baar wahi jaakar atak raha hai

Avantika:- par kyu?

Main:- Shadow World ki halki halki jhalkiyan toh mere dimag me pehle se thi par
Asmodeus se gale lagte hi mujhe Shadow World ke bare me puri tarah se pata chala hai

Avantika:- par tumne hi toh kaha tha ki tumne Asmodeus ke gale lagte waqt uski urja ko
khudme kheencha tha aur ussi douran tumhe Shadow World ka pura knowledge hua

Main:- aur tumne bhi toh kaha tha ki ye Asmodeus ki chaal bhi toh ho sakti hai bas wahi
soch raha hun ki agar ye sab meri Asmodeus ki urja ko kheenchne ki wajah se hua hai toh
koi baat nahi par agar ye Asmodeus ki koi chaal hogi toh hum sab mushkil me pad sakte
hain

Avantika:- toh Shadow World jane ka idea cancel kare?

Main:- tum janti ho ki main aisa nahi kar sakta haan par ye ho sakta hai ki tum sab mere
saath mat jaao main akela hi

Avantika:- aisa sochna bhi mat main aage kuch kehta usse pehle hi Avantika ne meri baat
kaat apni baat kahi

Avantika:- ye baat kabhi mat bhulna ki tumse hi main hun tumhare bina mera koi astitv hi
nahi hai agar koi chaal hai bhi toh hum dono uska mukabala milkal kare ge aur ye mat
bhoolo ki ab tumhare dost bhi normal human nahi rahe ab unme bhi angels ki power hai
aur isse behtar mouka nahi mil sakta un sabko apni shaktiyon ko test karne ka
Main:- haan wo bhi hai par ye mat bhoolo ki filhal abhi wo charon apni apni shaktiyon ko
control nahi kar paye hain aur abhi jo ho raha hai uske hisaab se apni shaktiyon ko apne
adhin karne ke liye unhe thode aur paapad belne honge

Avantika:- matlab abhi kya ho raha hai? maine kuch nahi kaha bas apna haath aage ki
taraf kar diya mere aisa karte hi hum dono ke saamne hawa me ek picture chalne lagi jise
dekh

Avantika:- arreye charon hawa me kyu uthe hue hain? saamne chal rahe drishya ko dekh
Avantika ne apna reaction diya reason darasal hamare saamne abhi wahi scene chal raha
tha jisme mere charon dost dhayan ki mudra me the aur unke sharir hawa me uthe hue
the abhi main kuch kehta usse pehle hi

Avantika:- arre ye sab gir kaise rahe hain? ab saamne chal rahi picture me wahi scene chal
raha tha jab mere doston ki antarik shaktiyon ko unke andar ki uncontrolled shaktiyon ne
ek jagah rok diya tha aur aisa hote hi mere doston ko ek jhatka laga jis wajah se wo charon
dhayan se bahar aa gaye aur agle hi pal un sab ke sharir jo ki hawa me kafi upar uth gaye
the wo neeche girne lage Avantika ye sab shocked hokar dekh hi rahi thi ki tabhi usse ek
naya shock laga aur iss shock ka reason wo white energy thi jinho ne mere doston ke
bodies ko khud ke upar lekar unhe girne se rok diya tha Avantika aankhon me sawal liye
mujhe dekhne lagi fir maine bhi usse waha jo bhi ho raha hai aur jis wajah se ho raha hai
uske bare me bataya maine usse Yeluptus me basi white energy ka raaz bhi bataya
Avantika ye jaankar shocked ho gayi ki Shadow World me fase logon ki bodies Yeluptus
ke zameen ke andar rakhi hui hai

Main:- ek aur baat batani hai tumhe aur iske baad jo baat maine Avantika ko bataya usse
sunte hi

Avantika:- whatt? sach me? jo baat maine Avantika ko batayi thi usse sunkar Avantika ko
ab tak ka sabse bada shock laga wo aakhon me hairani ke samandar ko liye mujhe dekhti
rahi maine bhi kuch nahi kaha bas usse dekhta raha kuch der tak mujhe yunhi dekhte
rehne ke baad

Avantika:- toh ab?

Main:- ab kya? jaise hi ye charon apni apni shaktiyon ko control me le aayenge hum
Shadow World ke liye nikal jayenge fir mere aur Avantika ke beech koi baat nahi hui
hamare saamne hawa me Yeluptus ka drishya jisme mere charon dost dhayan ki mudra
me dobara baith chuke the wo ab bhi chaalu tha Avantika ne mere kandhe par sar rakh
diya aur hum dono hamare doston ko dekhne lage

Back to friends:

adhbhudh ye shabd mere charon doston ke dimag me ek saath gunje the aur reason
dobara dhayan me baithne ke baad mere charon doston ki aantarik shakti ne firse apni
yaatra shuru ki safed roshniyan jo ki asal me mere doston ke sharir me beh rahi white
energy thi uske beech se hoti hui unki aantarik shakti tez raftaar pakde aage badhne lagi
par ek baar firse unki unstable shaktiyon ne unki aantarik shakti ke raaste me roda atkana
shuru kar diya tez raftar se doud rahi mere doston ki aantarik shakti ki punah raftaar
dheeme padne lagi par iss baar mere dost aur unki aantarik shakti iss rukawat ke liye tayar
the mere doston ka dhayan unka chit puri tarah sthi r tha aur issi wajah se unki aantarik
shakti ke marg me baadha aane par bhi wo nirantar aage badhti rahi kuch samay tak
lagatar rukawat aane ke baad achanak nazara badal gaya jahan abhi tak mere doston ki
antarik shakti ke har taraf safed roshni chaayi hui thi ab uss roshni ka rang aur roop dono
badalne lage dekhte hi dekhte wo safed roshni pehle hare rang me badalne lagi aur fir
kuch der ke baad uss hare rang ne ek bohat hi khubsoorat jungle ka roop le liya ek aisa
khubsoorat jungle jiski bas kalpana maatr hi ki jaa sakti hai har taraf aise aise mannmohak
ped the jinka vastavikta me hona lagbhag naa mumkin tha un pedon ke ird gird chote
chote lake bane hue the jinke satah par shweth badal tair se rahe the par tabhi mere
doston ki aantarik drishti ne kuch aisa dekha jise usse ek jhatka dekha darasal hua ye ki
jaise hi mere doston ki aantarik drishti ko ye ehsaas hua ki abhi wo ek jungle me hain toh
agle hi pal uss jungle ka pura drishya usse saaf saaf dikhne laga jise dekh usse jhatka laga
reason uss jungle ke har kone me lagbhag saare jaanwar aur pakshiyan moujud the par
shock ki baat ye thi ki har jaanwar apne jhund ke saath naa hokar dusre prajati ke
jaanwaron ke saath khel raha tha aur wo bhi aisi prajati ke saath jinke saath vastavikta me
hona un jaanwaron aur pakshiyon ke liye asambhav tha jahan sher hiran ke saath khel
raha thawahi nevla saanp ke saath baitha hua tha kutte aur billiyan ek saath udham macha
rahe the wahi baaki ki pakshiyan dusre carnivourous jaanwaron ke upar baithi hui thi aur
issliye mere charon doston ke mouh se ek saath adhbhudh shabd uccharit hua par tabhi
mer doston ki aantarik shaktiyon ko ek dusra jhatka laga aur wo issliye kyu ki jungle me
charon ki aantarik shaktiyan ek saath pahunchi thi aur iss waqt wo charon shaktiyan ek
dusre ke aaju baaju me hi khadi thi ek dusre ki shaktiyon ko apne aas paas mehsoos kar
charon khush ho gaye iss adhbhudh nazaare ko dekhte hue mere doston ki aantarik shakti
dheere dheere hi sahi par aage badhti rahi aur kuch door tak aage chalne ke pashchat ek
baar firse nazara badalne laga iss waqt mere doston ki aantarik shakti uss jungle ke sarhad
par pahunch chuki thi aur sarhad ke uss paar ek safed dhuen ka bada sa chaadar har taraf
faila hua tha jaise jaise mere doston ki aantarik shakti uss safed dhuen ki chaadar ke paas
pahunchne lagiwaise waise uss aantarik shakti ko uss safed dhuen ki chaadar ne har taraf
se sametna shuru kar diya aur dekhte hi dekhte kuch hi palon me mere doston ki aantarik
shakti uss safed dhuen me puri tarah se dhak gayi thi aur tabhi jaise hi mere doston ki
aantarik shakti thodi aur aage gayi toh wo safed dhua dheere dheere chatne laga aur kuch
hi palon baad jab wo dhua saaf hua toh jo nazara mere doston ki aantarik shakti ke
saamne thausse dekh mere doston ki aantraik ke saath saath unke chehre par jo ki filhal
dhayan mudra me thauspar bhi vismay ke bhaav aane lage reason iss waqt mere doston
ki aantarik drishti ke saamne ek lambi si safed pool thi jo chakam rahi thi aur uss pool ke
dusre chhor par ek bohat hi bada saa sweth rang ka gate tha mere doston ki aantarik
shakti uss pool se hote hue aage badhne lage aur kuch pal baad jab mere doston ki
aantarik shakti uss pool ke dusre chhor par pahunchitoh usse ek naya jhatka laga reason
pool ke dusre side par jo gate tha uss gate ke dono ends par do paheredaar khade the
unhe dekhkar aankatarik shakti ko shock laga aur iski wajah ye thi ki jo do paheredaar uss
gate se lag kar khade hue theunhe ya fir ye kahu ki un jaiso ko mere doston ne pehle bhi
dekha tha par sirf mere piche khade hue un dono ko shock ke saath dekhte hue mere
charon doston ke aanatrik shaktiyon ne ek baar firse saath me uccharit kiya angels ji haan
doston iss waqt mere doston ke saamne jo do paheredaar khade thewo aur koi nahi
angels the jo muskurate hue mere doston ko dekh rahe the aur tabhi un dono angels ne
uss bade se gate ko khola aur gate ke khulte hi jo nazara mere doston ki aantarik drishti
ke saamne aayausse dekhkar unhe ek saath do do anubhuti hui pehli vismay ki saamne ka
nazara tha hi itna khubsoorat aur dusri sukoon ki saamne ke nazare ko dekhkar mere
doston ke antarik drishti se hote hue unki aantarik shakti ko ek aisi shanti ki anubhuti hui
jaisa usne pehle kabhi feel nahi kiya tha vismay aur sukoon ke mile jule swaroop ko khud
me lapete charon ki aantarik shakti uss gate ke andar ki taraf badh gayi wo do angels jinho
ne uss gate ko khola thawo bhi un charon ke peeche ho liye wahi charon ki aantarik drishti
har taraf ke nazare ko dekh usse mehsoos kar lagatar tript hote jaa rahi thi wo nazara tha
hi aisa charon taraf anant lambai aur choudayi ke beech halke sweth rang ko odhe chote
chote par anginat khubsurat mehel bane hue the uss jagah se thodi hi upar chote chote
taare timtima rahe the jo uss mahoul ko aur bhi khubsoorat bana rahe the aakash ke har
kone me bohat se angels ek dusre se baatein karte ud rahe the jis path par wo charon chal
rahe theuske dono sides me thodi door safed chaadar ko odhe ek moti dhaar ke saath
jharne beh rahe the un jharno ka gantavya unka ground touching point dikh toh nahi raha
tha par un jharno ki wajah se waha ke mahoul me halki halki thand thi jo uss jagah ko aur
bhi khushnuma mana rahi thi mere doston ki aantarik shakti in manmohak nazro ka anand
uthate hue aage badh rahe the ki tabhi jagah pasand aayi ek roubdaar awaaz mere doston
ke kaano me padi jise sun wo sab apni tantra se na sirf bahar aaye balki chonk bhi gaye
reason ye awaaz unke saamne se aayi thi charon taraf drishti ghumate hue nazro ka anand
uthane ke chakkar me mere doston ki aanatrik shakti ki drishti saamne dekhna bhool gayi
thi aur jab awaaz sun charon ne apne aage dekha toh khudko ek bade se open mehel ke
darbaar me paya par un sab ke chonke ki asli wajah ye sab nahi tha balki wo awaaz thi jo
unke kaano me gunji thi ye awaaz uss darbaar ke beech me bani raaj gadhi ki taraf se aayi
thi jiske peeche koi peeth karke khada hua tha aur jaise hi wo banda ghumte hue saamne
ki taraf aaya toh mere doston ko ek aur jhatka laga aur un sab ke mouh se ek saath nikla

Charon:- Vikram ji haan doston raaj gadhi ke saamne khada banda aur koi nahi main hi
tha aur iss waqt main apni angels lord ke bhesh me tha apne doston ki antarik shakti ko
shocked chhod main muskurate hue apni raaj gadhi me baith gaya kuch der tak yunhi
shocked me rehne ke baad

Ronit:- ye sab kya hai? ye jagah ye mehel aur iski raaj gadhi par tu baitha hai mujhe toh
kuch samjh me nahi aa raha hai

Main:- galat tum charon ko samjh me aa chuka hai bas tum maanna nahi chaahte meri
baat sun mere charon dost ek baar firse chonke aur ussi haalat me

Shaila:- kya

Mokalsar:- ye

Akshaant:- sach me

Ronit:- heaven hai

Main:- haan mere charon dost ab bhi avishwas bhari nazro se mujhe dekh rahe the aur
issliye

Main:- peeche dekho meri awaaz se un charon ki tantra tooti aur jaise hi wo charon
palteunhe firse ek jhatka laga reason un sab ke peeche iss waqt unhi ki unstable shaktiyan
hawa me ruki huyi thi kuch pal tak in sab cheezon ko samjhne ki koshish karne ke baad
bhi jab mere charon doston ko kuch samjh me nahi aaya toh wapas meri taraf palte

Main:- main koun hun? mere sawal par mere dost hadbada gaye par fir
Ronit:- Lord of Angels

Main:- iska matlab?

Shaila:- angels ka pratinidhi unka malik

Main:- hmm aur jo unstable aniyantrit shaktiyan tum charon ke andar hai wo angels ki hai
aur angels ka ghar heaven hota hai ye shaktiyan unstable issliye thi kyu ki ye apne ghar
yaani heaven me naa pahunch tumhare andar pahunch gayi thi aur apne pratinidhi apne
malik se ijazat liye bina ye tumhe khudko kaise soump sakti hain? issliye ye chatpata rahi
thi aur tum charon ko force kar rahi thi ki tum inhe inke ghar le chalo aur aakhir me tum
inhe inke ghar le hi aaye

Akshaant:- par hume toh in shaktiyon ko apne mastishk se jodna tha naa

Main:- iss waqt tumhari aantarik shakti ke saath saath tumhara mastishk bhi iss jagah se
juda hua hai meri baat sun mere doston ne kuch nahi kaha bas mujhe ek tak dekhte rahe
par ab waqt aa gaya tha jab main apne doston ko unka puraskaar unka inaam soump dun
aur issliye

Main:- main Vikram Lord of Angels tum charon ke shareer aur aatma ko angels ki shakti
ko rakhne aur istemaal karne ki anumati deta hun jaise hi maine apni baat kahi uske agle
hi pal mer doston ke peeche khadi unki daivik shaktiyan ek jhatke me un charon ke andar
sama gayi aur aisa hote hi mere doston ki aantarik shakti hawa me uth gayi baaki angels
ki hi tarah unke sharir par bhi angels ke vastra aa gaye kuch der tak yunhi hawa me rehne
ke baad wo charon neeche aaye aur neeche aate hi unki aankhen khul gayi ab mere dost
sadharan yodhaon se daivik yodha me badal chuke the aankh khulte hi wo mere aage
apne ghutno par jhuk gaye

Main:- iski zaroorat nahi hai doston tum sab ye shaktiyan deserve karte ho meri baat sun
wo charon khade ho gaye

Ronit:- hum issliye nahi jhuke kyu ki tu Lord of Angels hai tere ohde ki respect karne ke
liye hume jhukne ki zaroorat nahi hai tujhe pata hai ki tere har roop ki hum sab dil se
respect karte hain hamare jhukne ki wajah thi tera hamare aatma samman ko respect
karna tu Lord of Angels hai jo shaktiyan hamare andar doud rahi hain wo tere hi aadhin
hai agar tu chahta toh ye shaktiyan hume yunhi de sakta tha aur ye bhi ek sach hai ki tere
rehte hume in shaktiyon ki bhi zaroorat nahi hai agar tu chaahe toh hum sab ke ird gird
ek aisi shield bana de jise koi bhi bhed nahi payega par tune aisa kuch bhi nahi kiya tune
hume bas raah dikhayimanzil par kaise pahuncheye tune hum par chhoda tha
Shaila:- Ronit sahi keh raha hai in shaktiyon ko agar hum yunhi paa letre toh shayad kabhi
in shaktiyon ki kadar nahi kar paate

Akshaant:- itna hi nahiye bhi ho sakta tha ki shaktiyon ke guroor me aakar hum inka galat
istemal karte

Mokalsar:- par jin kathinaayiyon se guzar kar humne ye shaktiyan payi hainusse naa sirf
hamara aatm vishwas badha hai balki hume in shaktiyon ki ehmiyat ka ehsaas bhi hai

Ronit:- issliye thanks mere bhai hai toh tu hamara dostpar kaam tune ek zimmedar pitah
ki tarah kiya hai wo pitah jo apne baccho ko har chiz yunhi nahi de deta balki unhe har
chiz ki ehmiyat ka ehsaas karata hai aur unhe acche aur bure ke beech ka fark bhi samjhata
hai mere doston ki baat sunkar mere chehre par ek vijayi muskaan aa gayi yahi sab toh
main sunna chahta tha main chahta tha ki mere dost un shaktiyon ki ehmiyat ko dil se
samjhe taaki unka istemaal wo sirf show off ke liye nahi balki achayi ki raksha ke liye kare

Main:- tumhare jane ka samay ho gaya mere ye bolte hi mere doston ki aantarik shakti ko
ek jhatka laga aur agle hi pal mere doston ki aankhen khul gayi

Main:- angels ki shaktiyan mubaarak ho doston mere dost apne dhayan se bahar aa chuke
the aur aankh khulte hi unki nazar saamne padi jahan main aur Avantika khade unhe
dekhkar muskura rahe the mere charon dost ek saath khade hue aur meri taraf badhe ek
ek kar charon mujhse gale lage

Ronit:- yaar meri shaktiyan toh ab mere control me hain par fir bhi mujhe mera body ab
bhi halka bhaari lag raha hai

Main:- thodi der me normal ho jayega kya tum sab ko pata hai ki tum sab kitne der tak
dhayan me baithe rahe charon ne naa me gardan hilayi

Main:- 48 ghante meri baat sun charon ko ek jhatka laga

Main:- haan aur ab jab tum sabko tumhari shaktiyan mil gayi hain toh ab hume kahi jana
hoga

Ronit:- Shadow World

Main:- haan graham maarg gachati ye wahi spell tha jo Asmodeus ne uske devils ko
Shadow World bhejne ke liye bola tha spell bolte hi mere body se paanch rays nikli jo
Avantika aur un charon par padi aur agle hi pal
Ronit:- abb ye kaisi jagah hai? hum toh Shadow World jane wale the naa darasal baat aisi
thi ki hum sab gaayab ho antariskh ke beech me khade the hamare aage koi grah koi
planet nahi tha bas ek open space thaa

Main:- hum sab Shadow World ke grah binduon se hokar yaha pahunche hain iska matlab
hai ki hum Shadow World ke bahar hi khade hain

Shaila:- par yaha toh kuch dikh hi nahi raha

Main:- wo issliye kyu ki Asmodeus ne Shadow World ko gaayab kar diya hai itna hi nahi
uske pramukh devils ne purna ojmanam naam ke spell se Shadow World ko protect kiya
hua hai

Shaila:- haan toh hum charon apni shakti unki iss shield ko tod dete hai naa

Main:- nahi

Ronit:- kyu? kya hum ab bhi devils ke spells ko kaatne ke layak nahi hain?

Main:- bilkul ho par jis spell se devils ne iss jagah ko baandha haius spell ne khudko kaam
me lane ke liye un devils ki puri shakti ko nichod liya tha tumhe iss shield ko todne ke liye
apni bhi saari shakti ko bahar nikalkar iss shield par waar karna hoga jise tum sab par
kamzori haawo ho jayegi jis wajah se tum sab bohat der ke liye gehri neend me chale
jaaoge

Akshaant:- oh toh ab kya kare? maine kuch nahi kaha bas apna haath aage kiya mere aisa
karte hi mere seene ke beech ek tez roshni hui aur agle hi pal uss roshni se hoti hui meri
sword mere haathon me aa gayi bandhan vinasham shield destroy sword ke mere
haathon me aate hi maine spell bola aur agle hi pal mere sword se ek tez roshni nikal kar
devils ke adrishya kawach par padi aur aisa hote hi boommm ek tez dhamake ke saath wo
shield khatam ho gayi par uske agle pal jo nazara hamare saamne aaya usse dekhkar mere
doston ke chehre par do do bhaav ek saath ubhre

1st:- Khushi 2nd:- Tension

khushi issliye kyu ki sword se nikle vidhwanshak rays ki wajah se devils ke shield toot chuki
the aur tension issliye ki sword ki rays se naa sirf shield tooti thi balki Shadow World ka
planet bhi ab visible ho gaya tha aur saath hi uss planet ke charon taraf lage electric rays
ki salakhen

Shaila:- ye toh
Main:- ek jail hai iss planet ko Asmodeus ne ek jail ki tarah banaya hai aur jo salakhen hum
dekh rahe hain uske khulne par hi hum planet ke andar jaa sakte hain maine Shaila ki baat
ko pura kiya

Ronit:- haan toh tension kya hai? jaise shield ko todawaise hi apni sword se in salakhon
ko tod de

Main:- main aisa nahi kar sakta ye koi aam salakhen nahi hain jin rays se ye salakhen bani
hain wo iss planet ki urja hai agar maine iss par apne sword se prahar kiya toh in salakhon
ke saath saath pura Shadow World bhi tabah ho jayega

Ronit:- yaar ye toh sach me tension wali baat hai ab kya kare?

Main:- iska solution me saath laya hun ye bol maine apna haath aage kiya aur mere aisa
karte hi mere haathon me ek chiz aa gayi jise kuch der tak dekhne ke baad

Avantika:- curious tree ye ussi ke branches se bana powder hai naa Avantika jo ki bade
dhayan se mere hatheli ke upar rakha powder dekh rahi thi uske dimag ki batti achanak
jali aur usne apni baat kahi

Main:- hmm par iska ek aur naam bhi hai

Avantika:- haan prisons key oh my God how did I forget achanak Avantika ko curious tree
ka dusra naam aur uski upyogita yaad aayi aur issike saath usse ye bhi samjh aa gaya ki
main curious tree ke branches ke powder ko yaha kyu lekar aaya hun Avantika toh samjh
chuki thi par baaki charon ko kuch samjh nahi aaya tha wo chehre par sawal liye kabhi
mujhe dekhte aur kabhi Avantika ko

Shaila:- koi hume bhi batayega ki tum dono kis bare me baat kar rahe ho aur tumhare
haathon me ye churn hai kya?

Main:- Secrilla jungle ke madhya me ek ped hai jise curious tree kehte hain ye churn ussi
ped ke daali ko ghis kar banaya gaya hai jo ki asal me devils ke dwara banaye gaye kisi bhi
jaaduyi kaidkhaane ki chaabi hai aur issliye isse prisons key bhi kehte hain darasal Secrilla
me angels aur devils ne apne apne tarike se shakti pradarshan kiye the aur uss shakti
pradarshan ka sabse zyada asar waha ke moujud paani parhua tha jiske kul do swaroop
hai pehli nadi aur dusri jharne aur unhi jharno aur nadi ke paani ne khudko Secrilla ke
zamin ke andar bhi basaya tha jis paani me devils aur angels ki shakti pradarshan ka sabse
zyada effect hua thaus paani ki urja se hi ek ped ne janm liya jise curious tree kehte hain
aur uss tree ke darakhton se dekar daaliyon tak me uss urja ki wajah se kayi vishestaayen
aayin jinme se ek visheshta aloukik thi aur wo yahi thi uss led ka churn kisi bhi jaadui kaid
khaane ko kholne ki shamata rakhta hai aur issliye iss ped ko aur iske iss churn ko jo mere
hatheli par hai usse prisons kehte hain

Akshaant:- adhbhudh toh ab? iska istemaal kaise kiya jaye? maine kuch nahi kaha bas
apne hatheli ko jisme curious tree ka churn thausse apne honth ke paas laya aur agle hi
pal fuuu maine ek zor ki foonkh maari aur mere aisa karte hi wo churn ek jhatke me aage
badh gaya aur dekhte hi dekhte uss churn ne ek patli si chaadar ka roop liya aur aage
badhte hue uss churn numa chaadar ne pure Shadow World ko gher liya aur jaise hi uss
churn ne Shadow World ko ghere salakhon ko chua wo salakhen bina kisi awaaz ke gaayab
ho gaye jise dekh mere dost khushi se ucchal pade

Main:- chalen maine Avantika ka haath thaama aur aage badh gaya mere peeche peeche
mere charon dost bhi aage badh gaye kuch hi palon me hum sab Shadow World ke
atmosphere me enter kar chuke the aur fir kuch aur lamhe guzarne ke baad hum sab
Shadow World ke zamin par aapne apne paawn tika chuke the Shadow World me
pahunchkar hum sab bohat khush the par saath hi iss baat se anjaan bhi ki hamare
Shadow World me enter hote hi wo jaaduyi salakhen waapas prakat ho chuki thi jiska
matlab tha ki ab hum panchon bhi uss jail numa duniya me fas chuke the

Planet: Shadow World Place: Open land

samay sachalakon ishwar ne aap sabki prarthana sun li aap sabke dukh aur taklif ki ghadi
samapt hui aakhen kholiye saare samay sanchalak jo ki iss waqt apni aakhen band kiye
ishwar se prarthana kar rahe the achanak unke kaano me ek tez dhwani padi jise sunte hi
un sab ki aakhen ek jhatke me khul gayi apne saamne 5 anjaan logon ko dekh pehle toh
wo jab chonke par jaise hi unki nazar sirf mujhpar aakar tiki toh unki khushi ka thekana
nahi raha reason samay sanchalakon ko mere sharir se nikalti urja ka abhaas ho gaya jise
mehsoos kar wo samjh gaye ki main kaun hun wahi jaise hi saare samay sanchalak meri
taraf palte toh mere chehre par ek muskaan naach gayi mujhe apne saamne dekh wo sab
neeche jhukne hi wale the ki aahh ek ke baad ek sabhi samay sanchalakon ke mouh se
dard bhari karahe phoot padi aur reason wahi tha jo hamesha se rehta aaya tha samay
sanchalakon ke neeche achanak aag prajwalit ho uthi thi jiski wajah se unke mouh se aah
nikli thi

Ronit:- ye sab kya ho raha hai?


Main:- thoda ruk batata hun yaha hum baat kar rahe the wahi hamare saamne jaise hi
samay sanchalakon ke niche ubhri aag bujhi toh apne dard ko zabt karte hue wo sab ek
baar firse neeche jhukne lage par

Main:- iski koi zaroorat nahi hai aap sab ka padh aur ohda bohat bada hai najane kitni
sadiyon tak aapne pure bramhaand ke samay chakra ko sahi tarike se ghumane ka daayitv
nibhaya hai aur aaj bhi aap jis aag se tap rahe hain wo bhi ussi samay chakra ki nirantarta
ko banaye rakhne ke liye sah rahe hain aap sab ne pehle hi bina kisi galti ke itne varshon
tak saza bhugti hai mujhe aapko bachane ke liye pehle hi aa jana chahiye tha par main
aisa kar nahi paya mere aage jhuk kar mujhe aur sharminda nahi kijiye

1st Samay Sanchalak:- aapki vaani aur usse nikla har vaakya aapke charitr aur aapke chavi
ki mahanta darshata hai hum aapse mil paye isse badi samman ki baat hamare liye kuch
nahi ho sakti main unki baat sun bas muskura diya

Main:- aap ki saza aur dard ka anth karne ke liye hume iss planet se nikalna hoga aur ek
baar aap iss grah se bahar nikal apne grah Yeluptus pahunch gaye toh aap sabki har taklif
khatam ho jayegi kintu usse pehle mujhe ek atti awashayak kaarya pura karna hai

2nd Samay Sanshalak:- kya aap?

Main:- haan main ussi kaam ke bare me baat kar raha hun kya aap sab kuch der aur
pratikhsa kar sakte hain maine uss samay sanchalak ki baat kaat kar apni baat kahi jise
sun

1st Samay Sanchalak:- jab itne varsho tak yaha rahe hain toh kuch pal me kya fark padega
aur waise bhijis kaam ki aap baat kar rahe hainwo bhi atti avashyak hai

Ronit:- abbe aur kaun sa kaam bacha hai? saare shadows toh yahi hai naa

Main:- saare nahi

Ronit:- matlab

Main:- sab pata chal jayega par uske liye hume yaha se jana hoga apni baat keh main
Avantika ko le hawa me uth gaya aur mere saath hi mere baaki ke charon dost bhi hawa
me uth gaye aur agle hi pal hum ek disha ki ore aage badh gaye raaste me maine Ronit
aur baaki teeno ko samay sanchalakon ki puri history batayi jise sun un sab ko bhi bohat
dukh hua baat karte karte hum uss jagah par pahunch gaye the jahan hume pahunchna
tha issliye hum sab neeche zamin par utar gaye par isse pehle ki koi mujhse kuch puchta
Main:- Ronit Monsickel jane se pehle aur waha se aane ke baad main aur Avantika kahi
jaate the tu janana chahta tha naa ki hum kaha jaate the aur kyu jaate the? mere yun
achanak iss baat ko chedne ka kaaran toh Ronit ko samjh nahi aaya par wo itna toh samjh
hi gaya tha ki main kuch bhi bewajah nahi kehta aur issliye

Ronit:- jaanna chahta tha nahi jaanna chahta hun maine ek baar Avantika ko dekha jo
mujhe hi dekh rahi thi

Main:- Twisted Dimension uss jagah kaa naam jahan hum dono jaaya karte the ek aisi
jagah jahan naa toh paap ka raaj hai aur naahi punya ka aur janta hai hum waha kyu jaate
the? Ronit ne naa me sar hilaya

Main:- apni baayen taraf dekh mere kehne par jaise hi Ronit ne apni gardan left taraf
ghumayi toh uske agle hi pal usne turant apni gardan wapas meri taraf kar di main uske
aisa karne ka reason janta tha aur issliye

Main:- iss baar naa toh koi maaya hai naa toh koi chhal naa toh koi dhoka hai aur naahi
koi khwaab sirf sach hai meri baat sun Ronit ke pair kaampne lage dhadakte dil aur ashk
bhare aankhon ke saath wo wapas apne left ki taraf palta aur agle hi pal uske mouh se
awaaz nahi balki ek cheekh nikal padi

Ronit:- Anjaliii

Planet: Shadow World Place: Hills front

Main:- iss baar naa toh koi maaya hainaa toh koi chhal naa toh koi dhoka hai aur naahi koi
khwaab sirf sach hai meri baat sun Ronit ke pair kaampne lage dhadakte dil aur ashk bhare
aankhon ke saath wo wapas apne left ki taraf palta aur agle hi pal uske mouh se awaaz
nahi balki ek cheekh nikal padi

Ronit:- Anjaliii Ronit ki iss cheekh me uska itne samay tak dabaya hua dard uski tadap uski
majburi uska junoon uski khud se chal rahi jaddo jaha tu uske dil ki chitkaar aur ussi dil ke
har kone me basa hua uska Anjali ke liye beshumar pyar saaf jhalak gaya in saare
bhavnaao feelings ko hum paachon ne bhi feel kiya tha jahan main Akshaant aur Mokalsar
khudko control me rakhe hue the wahi Avantika aur Shaila ke aankhon me aansu tair
chuke the wahi hum sab se kuch hi door ek bade se chattan ke saamne aakhen band kiye
hue dhayan me baithi hui Anjali ke kaano me jaise hi uske naam ki cheekh gunji toh uski
aankhen jhat se khul gayi aur aankh khulne par jaise hi Anjali ki nazar humpe gayi toh
pehle toh usse behad hairat hui par ye hairat uss khushi ko uske chehre par aane se rok
nahi payi ek pal ka hairat zindagi bhar ke khushi ki shakal me badal gaya hum sab ko
chamakti aakhon se dekhne ke baad Anjali ki nazar ek chehre par tik gayi ye chehra Ronit
ka tha jo usse bheegi aankhon se ek tak dekh raha tha Ronit par nazar padte hi Anjali ki
nazre bhi uspar aakar tik si gayi aisa lag raha tha maano dono ki aakhon ke beech ek
adrishya pool ban gaya hai jise dono hi jud gaye hain kehte hai sabse tez saaf aur sachhi
awaz khamoshi ki hoti hai khamosh zuban aankhon ke zariye wo baaten keh deta hai jo
zuban shayad kabhi na keh paye ek tak ek dusri ki aankhon me doobe Ronit aur Anjali iss
waqt ussi khamoshi ki bhasha me baat kar rahe the dono ke zuban khamosh the par dono
ke dil apas me baat kar rahe the waise toh main har kisi ke mann ki baat padh sakta hun
par filhal in dono ke dilon ke beech kya baatein ho rahi hain usse jaanne ke liye mujhe in
dono ke mann main jhaakne ki koi zaroorat nahi thi main hi kya mere saath mera haath
thaame khadi Avantika mere peeche khade Akshaant Shaila aur Mokalsar bhi in dono ke
dil ki baaton ko samjh paa rahe the hume Anjali ke saamne aaye Ronit ko Anjali ke naam
se cheekhe aur Anjali ko hume dekh fir Ronit ki aankhon me khoye hue 10 minute se upar
ho chuke the par ab tak naa humme se kisi ne kuch kaha tha aur naahi Ronit aur Anjali ne
maine bhi abhi tak kuch nahi kaha tha kyu ki mujhe pata tha ki Ronit ab tak bas duniya ke
liye zinda tha par andar hi andar wo har pal mar raha tha par abhi abhi Anjali ke roop me
jo nayi zindagi Ronit ke andar wapas apna ghar basa rahi hai usme thoda waqt toh lagna
hi tha wahi itne samay tak yaha kaid hone ki wajah se hamare saamne khadi Anjali ke
mann ki bhi ummid ki jyoti dheere dheere marne si lagi thi par aaj hume dekh aur specially
Ronit ko dekh uss bujhti jyoti me phir se tel pada tha jisne uss jyoti ke aakar ko aag me
badal diya tha Anjali ke mann main uthe hue uss prachand aag ke veg ko bhi wapss jyoti
me badalne ke liye thoda waqt chahiye tha kuch aur palon tak yunhi khade hokar Anjali
ko niharne ke baad Ronit ke kadam dheere dheere Anjali ki taraf badhne lage wahi Anjali
jo abhi bhi ek tak Ronit ko dekhe jaa rahi thi Ronit ko apne paas aata dekh usse bhi khudme
ek hararat mehsoos hui filhal abhi toh uske paas dil nahi tha par fir bhi Ronit ko apne
kareeb aata dekh usse aisa mehsoos hua ki uske andar kuch dhadak sa utha hai aage
badhta hua Ronit thek Anjali ke saamne pahunchkar ruk gaya abhi bhi Ronit ko uske
saamne khadi Anjali ki vaastavikta ka gyaan nahi hua tha wo toh bas Anjali ke khubsoorat
chehre ko nihar raha tha itne der tak khamoshi ko baat karte dene ke baad ab baari thi
labon ke hilne ki aur issliye

Anjali:- Ronit Ronit bas itna hi kaha Anjali ne par shayad itna hi kafi tha kya react karun?
kaise react karun? jaise sawalon se Ronit ka vivek uska dimag jo uljha hua tha Anjali ke
mouh se apna naam sun wo uljhan khatam ho gayi
Ronit:- Anju Anjali ki hi tarah bas itna hi keh paya Ronit aur agle hi pal apne dimag me uth
rahe uljhano ko khatam kar Ronit ne jhat se aage badhkar apne dono haathon ko dono
taraf se badhaya taaki Anjali ko khudme samat sake par tabhi

Ronit:- arre ye kya? main tumhe chu kyu nahi paa raha hun? jahan Ronit awishwas bhari
aakhon se Anjali ki taraf dekh raha tha wahi Anjali ke chehre par ek fiki si muskaan thi
kuch der tak situation ko samjhne ki koshish karne ke baad jab Ronit ne ek baar firse Anjali
ki taraf dekha ya fir ye kahu ki Anjali ke chehre ke saath saath usse upar se neeche tak
observe kiya toh

Ronit:- tumhari body transparent kaise?

Anjali:- main ek aatma hun aur aatma ko chua nahi jaa sakta

Ronit:- what? ye ek naya bomb tha jo iss waqt Ronit ke upar gira tha sirf Ronit par hi nahi
Anjali ki baat sun Mokalsar Akshaant aur Shaila ko bhi zor ka jhatka laga ye teeno toh
bechare abhi tak iss shock se bhi thek se nahi ubhre the ki Anjali zinda hai aur tabhi unhe
ek naya shock laga tha aur iss shock ke saath Ronit aur in teeno ke mann main ek naye
dar ne bhi ghar kar liya tha dil hi dil apne uss dar ko sirf ek jhoot sabit hone ki dua karte
hue

Ronit:- par tu toh zinda hai naa? iss ummid ke saath ki Anjali ke mouh se haan nikle
dhadakte dil se Ronit ne apne sawal ko ya fir ye kahu ki apne dar ko Anjali ke saamne
rakha

Anjali:- mujhe nahi pata Anjali ke jawab ko sun Ronit ke saath saath mere teeno dost ko
fir se shock laga

Ronit:- nahi pata matlab? tujhe apne zinda rehne ke bare me nahi pata hoga toh kisse
pata hoga? Anjali ne kuch nahi kaha bas apni nazre mujhpar kar di is waqt Anjali ki nazar
me dar aur ummid dono dikh rahe the jaise hi Anjali ne meri taraf dekha toh uski nazar ka
picha karte hue Ronit ki nazar bhi mujhpar tik gayi aur uske aakhon me bhi samne feelings
dikhne lage dar aur ummid

Main:- darne ki zaroorat nahi hai Anju teri ummid sahi hai tu zinda hai meri baat sun Anjali
se zyada toh Ronit ki aankhen chamak uthi aur issliye

Ronit:- sach ye bol ya fir ye kahu ki ye chiila Ronit wapas meri taraf dauda aur saale ne
mujhpar kudate hue mujhe zor se hug kar liya
Main:- abbe hat saale itne din baad teri gf tere paas hai phir bhi mujhse gale lage pada
hai tu saale tere preferences toh nahi badal gaye naa jahan meri baat sun baaki sab hans
pade wahi Ronit pe kuch khaas fark nahi pada wo waise hi mujhe kas kar gale lagaye raha
uske aankhon me ab bhi aansu the par iss bar wo aansu khushi ke the

Main:- ab bas bhi kar yaar jaa aur Anjali ko hug kar apne tadapte dil ko sukoon pahuncha
meri baat sun Ronit mujhse alag hua aur

Ronit:- kaise yaar? wo toh abhi spirit form me hai aise me toh main usse touch bhi nahi
kar sakta aur tu gale lagane ki baat karta hai

Main:- ek baar try toh kar kya pata connection ho jaye meri baat naa hi Ronit aur Anjali
ko samjh aayi aur naa hi mere baaki ke teeno doston ko

Avantika:- Ronit Vj ne jo kaha hai wo kar sab samjh me aa jayega Avantika ki baat sun
Ronit wapas palta aur Anjali ki taraf badh gaya aur iss baar jaise hi Ronit ne Anjali ko hug
karne ke liye apni baahen failate hue apne dono haathon se Anjali ke kareeb laya toh usse
aur uske saath saath Anjali ko bhi ek jhatka laga reason iss baar Ronit ke haath Anjali ki
spirit ke aar paar nahi hue wo usse chu paa raha tha wahi Ronit ke haathon ko khudpar
mehsoos kar Anjali ko bhi shock laga wo jhat se Ronit se alag hui aur khudko dekha Ronit
ki bhi nazar uspar hi thi ek baar firse dono ko shock laga aur iska kaaran ye tha ki Anjali ab
bhi spirit form me hi thi dono apni apni aakhon me hairat liye meri taraf dekhne lage wahi
main aur Avantika toh muskura hi rahe the

Main:- maine tere spirit form ko kuch der ke liye solid kar diya hai ab ye hairaniyan chhodo
aur ek dusre ko ache se mehsoos kar lo zyada waqt nahi hai meri baat sun Ronit aur Anjali
khush ho gaye aur agle hi pal Ronit aur Anjali ek dusre me sama chuke the dono ne ek
dusre ko itni zor se hug kiya tha maano ek dusre ke andar sama jana chahte hon kuch der
tak yunhi ek dusre ko andar tak mehsoos karne ke baad jab dono ka aalingan khatam hua
toh dono ke lab ek dusre se jud gaye aankhen band kar dono hi ek deep kiss me kho chuke
the agar ek dusre ko baahon me sametne ke baad bhi kuch kasar baaki reh gayi hogi toh
wo iss chumban iss kiss me nikal jaani thi dono pure shiddat ke saath ek dusre ke labon
ko mehsoos karne me lage hue the iss kiss me koi hawas koi lobh nahi tha tha toh bas
pyaar

Main:- lo kar lo baat saala yaha hum in dono ke chakkar me upwas kiye khade hain aur ye
dono milte hi boondiya lootne me lag gaye meri baat sun Avantika hans di reason doston
aapko yaad hoga ki Twisted Dimension me main aur Avantika kiss karne wale the ki tabhi
Avantika ke dimag me ek baat aayi jise sun aur samjh maine Avantika ko kiss nahi kiya tha
toh wo baat ye thi ki Avantika ke dimag me uss waqt Ronit ka gum ghum raha tha aur jis
lamhe me main Avantika ko kiss karne wala thaussi pal me Avantika ke dimag me Ronit
ka rota chehra aur Anjali ki aatma ka tadapna mehsoos kiya ji haan doston Avantika ko
maalum tha ki Anjali zinda hai aur wo bhi spirit form me kaise? ye thodi der me pata chal
jayega khair jaise hi maine Avantika ke dimag me upji Ronit aur Anjali ki taswir ko mehsoos
kiya main ruk gaya aur issliye hi maine abhi tak Avantika ko kiss nahi kiya tha Avantika ko
hasta dekh maine usse kuch der tak ghura par fir main bhi hans diya wahi hum dono ke
yun achanak hasne ka reason mere piche khade doston ko samjh me nahi aaya par
unhone kuch nahi kaha ye toh thi hamari baat par hamare saamne ka scene abhi bhi same
tha Anjali aur Ronit ka kiss abhi bhi pure zor par tha aur shayad ye aur bohat der chalta
par tabhi Anjali ki aatma jo ki solid form me thi wo wapas transparent hone lagi jise dekh
Akshaant Mokalsar aur Shaila chonke wahi Ronit jo ki Anjali ko pure shiddat se kiss kar
raha tha aur ussi shiddat ki wajah se uski aankhen band thi usse bhi jab dheere dheere
Anjali ke honthon ki chhuan ka ehsaas kam hone laga toh usne bhi apni aakhen khol di
aankhen khol jab Ronit thoda peeche hata toh usse bhi Anjali ko yun wapas transparent
form lete dekh jhatka laga waise iss parivartan se shocked toh khud Anjali bhi thi

Ronit:- yaar ye kya hua? Anju wapas pehle jaise kaisi ho gayi?

Main:- tujhe iss baat ka afsos hai ki Anju wapas apne spirit form me chali gayi ya fir iss
baat ka gum hai ki teri kiss me rukawat aa gayi jahan meri baat sun Avantika Akshaant
Mokalsar aur Shaila hans diye wahi Ronit halka jhemp sa gaya aur Anjali sharma gayi

Ronit:- bhai mazak chhod aur bata naa ki ye wapas pehle jaisi kaise ho gayi?

Main:- jo solidity maine Anjali ki aatma ko di thi wo temporary thi jaise hi uss solidity ka
time khatam hua Anjali wapas apne purane form me aa gayi

Ronit:- toh bhai Anju ke solid form ko permenent kar de naa

Akshaant:- haan fir Anjali ko body ki zaroorat hi nahi padegi

Main:- aisa nahi ho sakta har aatma kisi bhi insaani lok me uske sharir ke sahare hi reh
sakti hai sharir hi aatma ka hardware hota hai jise chua jaa sakta hai aur filhal Anjali ka
hardware matlab uska sharir usse alag hai aise me main uski aatma ko uske sharir ke kaam
me bas kuch der tke liye hi laa sakta hun agar maine Anjali ki iss spirit form ko zyada der
tak solid banaye rakhatoh uss form ke saath saath Anjali ka ye spirit form bhi hamesha ke
liye khatam ho jayega meri baat sun sab ek baar firse shocked ho gaye par tabhi Ronit ke
dimag me ek sawal koundha aur
Ronit:- hang on tune abhi kaha ki Anjali ka sharir filhal usse alag hai? iska kya matlab hai?
Anjali ki body toh jala di gayi hai naa

Main:- hmm ab aaya naa mudde par main soch hi raha tha ki kaise Anjali ko dekhkar tera
dimag kaam karna band kar gaya hai? waise sawal toh sabhi ke mann main hai par sabse
zyada kulbulahat iss waqt Shaila ke dimag me ho rahi hai haina Shaila? meri baat sun pehle
toh Shaila hadbada gayi par fir

Shaila:- haan Vikram jab se maine Anjali ko dekha hai tabhi se mere dimag me najane
kitne hi sawalon ne bhagdadh machayi hui hai Anjali zinda kaise hai? aur agar ye zinda hai
toh fir ye ek aatma ke roop me kaise hai? iska sharir kaha gaya? aur sabse mahatwapurn
sawal ki ye iss Shadow World me kaise fas gayi

Ronit:- nahi Shaila sabse important sawal ye hai ki jab Anju zinda hai toh Vj ne hume
bataya kyu nahi? Ronit ke sawal me ek narazgi thi jo hum sabne saaf mehsoos ki thi

Main:- sab batata hun par isse pehle tu mujhe mere do sawalon ka jawab de pehla sawal
Anjali ke jane ke baad in dedh saalon me kya tune kabhi bhi mujhse Anjali zinda hai ki nahi
ye sawal pucha?

Ronit:- ye kaisa sawal hai? Anjali ke sharir ko khud hamare ghar walon ne agni di thi fir
main ye sawal kyu karta?

Main:- tu ye kaise keh sakta hai ki jis sharir ko agni di gayi thi wo Anjali ki hi thi? jis waqt
uss sharir ko agni di jaa rahi thi tu toh khud koma me tha aur sabse badi baat Beelzebub
aur Bhuvika se yudh karte waqt Anjali se pehle teri aakhen band hui thi toh tu ye kaise iss
natije par pahuncha ki tere aankh band karne ke baad un dono ne Anjali ko maar diya
hoga? meri baat ya fir ye kahu ki mere tark ko sun Ronit hadbada gaya wo janta tha mera
tark apni jagah par bilkul sahi tha Beelzebub aur Bhuvika se ladte waqt Anjali se pehle uski
aankhen band hui thi toh aise me uske behosh hone ke baad kya kya hua hoga wo ye kaise
bata sakta tha? aur fir jab Ronit ko hosh aaya ye fir ye kahu ki maine usse hosh me laya
uske baad bhi uske dimag me ek baar bhi ye sawal nahi aaya ki kya Anjali zinda ho sakti
hai hosh me aane ke baad se hi Ronit ne sirf Anjali ke jane ka gum galat hi kiya tha kabhi
bhi uske dimag me ye vichar nahi aaya ki uske saath chhal bhi ho sakta hai aur iss bare me
usne mujhse kabhi baat bhi nahi ki kabhi nahi pucha ki uski aankhen band hone ke baad
kya kya hua tha? mere pehle sawal aur uss sawal ke baad mere diye tark ko sun Ronit ko
apni bhul ka ehsaas ho gaya tha par main janta tha ki wo mere dusre sawal ko bhi sunana
chahta tha
Ronit:- aur dusra sawal

Main:- yaad karke bata ki jab se Anjali hum se door hui aur tum sabne usse mara samjh
liya iss dauran kya maine ek baar bhi ye baat kahi hai ki Anjali mar chuki hai meri baat sun
Ronit ko firse ek baar jhatka laga sach hi toh tha maine kabhi ye nahi kaha tha ki Anjali
mar chuki hai mere mouh se hamesha yahi nikla tha ki Anjali hamare beech nahi hai main
aisa kyu kehta tha ye ab Ronit ko samjh me aa raha tha aur saath hi meri sikhayi wo wo
baat bhi uske zehen me ubharne lagi jab main usse kehta tha ki shabdon ko hamesha
dhayan se suna kar kyu ki har shabd me hamare kisi na kisi sawal ka jawab chupa hua hota
hai

Ronit:- oh shit haan yaar iss taraf toh mera dhayan hi nahi gaya

Main:- aur naahi Avantika ki taraf yaad hai jab tu Avantika se college me mere bare me
puchne gaya tha aur isne tujhe daanta tha tab isne bhi meri hi tarah tujhse baat ki thi aur
Anjali ke bare me baat karte hue isne bhi same baat ki thi isne ye nahi kaha tha ki Anjali
mar chuki hai isne bhi yahi kaha tha ki Anjali hamare beech nahi hai meri baat sun Ronit
firse chonka par iss baar uske saath saath Anjali bhi chonki thi

Ronit:- toh kya Avni ko bhi Anjali ke zinda hone ke bare me maalum tha?

Main:- ussi din college me isse iss bare me pata chala tha meri baat sun Ronit fir se chonk
gaya par isse pehle ki wo kuch puchta

Anjali:- Ronit ko Avantika ne daanta tha par kyu? aur Ronit ko Vj ke bare me aisa kya pata
karna tha jo usse Avantika ke paas jana pada? Anjali ka sawal sun sabko yaad aaya ki in
dedh saalon me kya kya hua hai iss bare me Anjali ko kuch bhi nahi pata? issliye

Ronit:- Anju in dedh saalon me bohat kuch hua hai aur in sab ghatnao ki shuruat Vj ke
Courious world me jane ke baad shuru hua Ronit ke mouh se Courious sun Anjali fir chonki
usse yaad aaya ki ek baar maine usse aur Ronit ko iss jagah ke bare me bataya tha

Anjali:- Courious par Vj toh Isla gaya tha naa?

Ronit:- haan par uske baad wo Courious gaya tha iske baad Ronit ne Anjali ke mere saath
kya kya hua tha wo sab batane laga jaise jaise Ronit ki baat aage badhi Anjali ke chehre
par dard saaf dikhne laga aur ye jaankar ki mujhse mera astitv alag ho gaya tha aur uss
wajah se meri aur Ronit ke beech ladhayi hui jiski wajah se main ghar chhodkar chala gaya
uska dard aur badh gaya jaise jaise mere Akshaant Mokalsar aur Shaila ke saath jo jo hua
wo sab Ronit batata gaya waise waise Anjali ki taklif badhti chali gayi aur issliye Anjali
turant mere paas aayi aur usne mujhe hug karne ki koshish ki par wahi hua jo Ronit ke
saath hua tha Anjali ke haath mere sharir ke aar par ho gaye jise Anjali aur zyada udaas
ho gayi

Main:- udas kyu ho rahi hai? tu bhale hi abhi mujhe chu nahi sakti par tujhe feel karne ke
liye mujhe kisi hug ki zaroorat nahi hai meri baat sun Anjali ke chehre par ek fiki si muskaan
aa gayi Anjali ke dard ko Ronit ne mehsoos kiya aur issliye

Ronit:- waise tujhe ek breaking news dun? waise toh sabke liye ye purani khabar hai par
tere liye ekdum fresh hai Ronit ki baat aur uski awaaz ki excitement sun Anjali apne
aankhon me sawal liye usse dekhne lagi

Ronit:- Vj aur Avantika ab friends nahi balki ek couple hain Ronit ki baat sun pehle toh
Anjali solid chonki par fir wo ekdum khushi se ucchal padi ek pal me hi jaise Anjali ka mood
thek ho gaya tha

Anjali:- mujhe pata tha ki ek naa ek din aisa zaroor hoga ye bol Anjali mujhe aur Avantika
ko hug karne ke liye ek baar firse aage badhi par

Main:- ruk jaa ruk jaa excitement me tu fir bhul gayi ki filhal tu spirit form me hai

Anjali:- wo sab chhod pehle ye bata ki pehle propose kisne kiya tha?

Ronit:- arre jab inki kahani hi normal nahi hai toh fir inka propose kaise normal hoga? sun
kya hua tha ye bol Ronit Anjali ko Fountain of Lights ke andar kya kya hua aur kaise
Avantika ne mujhe kiss kar propose kiya aur mujhe bachaya batane laga Ronit ne Anjali
ko jab ye bataya ki mere astitv ke kho jane se pehle kaise maine Avantika ko Lord of Angels
banaya tha toh usse shock laga par uske agle hi pal uske dimag me kuch click kiya

Anjali:- oh toh issliye main tujh tak nahi pahunch paa rahi thi Avni Anjali ki baat sun sabko
ek baar firse jhatka laga

Ronit:- nahi pahunch paa rahi thi matlab

Anjali:- jabse main yaha kaid hun tabse main lagatar har waqt dhayan me hi baith tum me
se kisi na kisi se contact karne ki koshish karti rehti hun par shayad iss grah me me koi
kawach jaise kuch laga hua hai issliye aisa karna bohat mushkil hai par kuch mahine
lagatar koshish karne ke baad main apni aantarik ujra ko iss jagah se bahar nikalne me
kaamiyab huyi pehle maine Vj se contact karne ki koshish ki par nahi kar payi aur jaisa ki
tumne bataya ki Vj ke saath kya hua tha issliye mujhe lagta hai ki shayad iska reason
Asmodeus ka Vj ke andar behta khoon tha jiski wajah se main iss tak nahi pahunch paa
rahi thi uske baad maine tujhse contact karne ki koshish ki aur meri aantarik shakti ne
tujhe khoj bhi liya tha par najane kaise tujhtak pahunchne se pehle hi meri aantarik shakti
ko ek jhatka laga aur usse wapas loutna pada Anjali ki baat sun Ronit ko ek baar firse
jhatka laga wo kuch kehta isse pehle hi

Main:- wo maine kiya tha teri aantarik shakti ko maine Ronit tak pahunchne se pehle rok
diya tha meri baat sun Ronit ke saath saath Anjali ko bhi jhatka laga

Anjali:- tu ne par kyu aur kaise? tune toh apna astitv kho diya tha naa

Main:- astitv khoya tha shaktiyan nahi tu zinda hai ya fir ye kahu ki tu mar hi nahi sakti ye
main achi tarah janta tha main ye bhi janta tha ki tu hum sab ko contact karne ki koshish
bhi zaroor karegi issliye hi maine Ronit ke charon taraf ek aisi shield ka nirman kiya jise
teri awaaz iss tak naa pahunch paye

Main:- par iske bawajud Anju ne haar nahi maani kyu Anju?

Anjali:- haan Ronit ke baad maine Avantika se contact karne ki koshish ki par main ek baar
firse naakamiyab rahi meri antarik shakti kamse kam Ronit ke paas toh pahunchi thi par
Avantika ke maamle me aisa bhi nahi ho paya meri aantarik shakti Avantika ko dekh tak
nahi payi aur iska reason mujhe ab samjh me aa raha hai shayad Vj ki urja ki wajah se Avni
tak pahuncha hi nahi jaa sakta tha haina? Anjali ne ye sawal mujhe dekhkar pucha tha
jispar maine haan me sar hilaya

Anjali:- Avantika tak naa pahunch pane ke baad maine Shanaya ko target kiya par tab bhi
main fail hui shayad Avantika ki urja ki wajah se uske pariwar ke log bhi ek cover ke andar
aa gaye the itni koshishon ke baad bhi lagatar fail hone ki wajah se main kafi nirash ho
gayi thi kuch waqt tak maine apni koshishen chhod di thi par fir

Main:- tujhe ek aur chehre ka khayal aaya jise jud kar tu humse contact kar sakti thi

Avantika:- aur ye chehra tha Shaifali ka meri baat ko Avantika ne pura kiya jise sun Ronit
ko ab tak ka sabse bada jhatka laga

Ronit:- what? Shaifali?

Avantika:- haan Shaifali Anjali janti thi ki hamare group me koi bhi bahar ka banda allow
nahi hai par Shaifali hi ek aisi ladki hai jise hum regularly baat karte hain yaad hai abhi Vj
ne kuch der pehle bataya tha ki jab meri tujhse behes hui thi ussi din mujhe Anjali ki bare
me pata chala tha Avantika ki baat par Ronit ne haan me sar hilaya
Avantika:- tujhe yaad hai jab uss din tu Shanaya aur Shaifali canteen me baithe hue the
uss waqt Shaifali ke sar me dard tha

Ronit:- haan

Avantika:- wo dard usse Delhi se hi ho raha tha wo dard bhi Anjali ki hi wajah se tha jis
waqt Shaifali Delhi me thi aur uss restuarant me gayi thi jahan Vj job karta tha thek tabhi
Anjali ne apni aantarik shakti ko Shaifali ke dimag ke andar pahunchaya tha aur jab Shaifali
ne Vj ko uss resturant me dekha toh uske saath saath Anjali ko bhi Vj ka abhaas hua tha
par isse pehle ki Shaifali ke through Anjali Vj se kuch kehti Vj ne Anjali ki aantarik shakti
ko Shaifali ke dimag se nikal bahar fek diya iska reason bhi yahi thi ki Vj nahi chahta tha ki
Asmodeus ko ye bhanak lage ki Vj ko pata hai ki Anjali zinda hai Shaifali ke andar tum sab
jaisi taakat toh hai nahi wo ek normal ladki hai issi wajah se jab Anjali ki aantarik shakti ne
usse judne ki koshish ki toh Shaifali ke dimag par extra presurre pada jiski wajah se uske
sar me dard hone laga tha shafali ussi raat Delhi se Mumbai aa gayi thi aur jab next day
wo college aayi toh uske sar me tab bhi dard tha aur jab mera haath uske haath pe touch
hua toh mujhe jhatka laga kyu ki Vj ki urja ki wajah se usse chhute hi mujhe uske saath ek
din pehle kya hua tha wo pata chal chuka tha Anjali zinda hai ye jaankar mujhe kitni khushi
hui thi ye main bata nahi sakti thi aur issliye hi tujh se behes karte waqt maine ye nahi
kaha tha ki Anjali mar chuki hai balki ye kaha tha ki Anjali hamare beech me nahi hai

Ronit:- oh beta ji itna lamba chowda game chal raha tha aur saala mujhe pata tak nahi tha

Main:- wo issliye kyu ki jahan buddhi lagani chahiye waha bhi tu dil se kaam chala raha
tha waise Anju ne iske baad bhi ek aur koshish ki thi kyu Anju?

Anjali:- haan maine ek baar firse Ronit se judne ki koshish ki par firse fail hui

Main:- haan par puri tarah se nahi meri baat Anjali ko samjh me nahi aayi

Anjali:- matlab?

Main:- matlab ye ki bhale hi teri aantarik shakti iss tak nahi pahunch payi thi par haanteri
ek cheez thi jo iske andar pahunch gayi thi

Avantika:- pahunch gayi thi ya fir tumne pahuncha di thi

Main:- ek hi baat hai

Anjali:- tum dono kya baat kar rahe ho mujhe toh kuch samjh me nahi aa raha hai
Ronit:- toh mujhe kuch kaha samjh me aa raha hai aur Vj tune Anjali ko mujh tak
pahunchne se kyu roka?

Main:- yaad kar tu uss waqt kis condition me tha Anjali ka naam sunte hi teri condition
ajeeb ho jati thi agar Anjali ki aantarik shakti ki awaaz tujh tak pahunch bhi jati naa toh
usse tu khush nahi hota balki paagal ho jata tu uss waqt stable nahi tha aur aisa kuch hone
par tu samjhta toh kuch nahi ulta tera dard aur badh jata jise tujhe hi nuksaan hota

Ronit:- arre waah aise kaise? main proof dun? meri baat sun Ronit hadbada gaya kyu ki
wo janta tha ki agar maine kuch kaha hai toh yunhi toh nahi kaha hoga

Main:- sun yaad hai jab hum sab Bhuvika ko lekar Monslickel se wapas aaye the tab jab
bhi Bhuvika tujhse kuch kehne ki koshish karti usse pehle hi tu usse maar deta tha usne
kafi baar koshish ki par har baar tune bina uski baat sune usse maarta raha aur reason
Anjali tujhe bas ek baat samjh aa rahi thi aur wo ye ki Bhuvika ne Anjali ko maara hai aur
issliye tu andha dhund usse peete jaa raha tha tune ek baar bhi nahi socha ki Bhuvika me
uss waqt tujhse bohat zyada taakat thi uske baad bhi wo chup chaap tujhse maar khaa
rahi thi wo bas tujhse kuch kehna chah rahi thi par tu ne usse kuch bhi kehne hi nahi diya
uske baad bhi jaate jaate usne kuch kaha tha wo baat yaad hai? meri baat sun Ronit ko
wo din yaad aa raha tha jab wo Bhuvika ko maar raha tha aur itni zyada shaktishali hone
ke baawajud bhi Bhuvika ne usse kuch nahi kiya tha aur aakhir me mere sawal ko sun
Ronit ko Bhuvika ki kahi aakhri baat yaad aayi jo usne Ronit se kahi thi main maafi ke kabil
toh nahi par fir bhi main tumhari maafi ka intezar karungi iss baat ke yaad aate hi Ronit
ke dimag ki batti jali

Ronit:- oh teri ki toh wo iss bare me baatkar rahi thi

Main:- hmm maafi ke kabil naa hokar bhi maafi ka intezar karna ye koi kyu kahega? wo
janti thi ki ek na ek din tu Anjali se zaroor milega aur wo chahti thi ki jab bhi aisa ho toh
tu usse maaf karde

Ronit:- beda garg saala main bhi ek number ka tube light hun jahan Ronit ki baat sun hum
sab hans diye wahi Anjali kuch aur hi soch rahi thi jise maine dekh liya aur samjh bhi liya

Main:- kya soch rahi hai Anju?

Anjali:- yahi ki Bhuvika ne Ronit se maafi kyu maangi? wo toh ek devil hai naa aur hamare
saath jo bhi hua uska main reason bhi
Main:- nahi Anju Bhuvika bhi Asmodeus ka bas ek pyada thi fir maine Anjali ko Bhuvika
aur uski sachayi ke bare me sab kuch bataya jise sun Anjali ki aankhen fati ki fati rah gayi

Anjali:- tum dono bhaiyon ke dimag hai ki kya hai? kya kya soch lete ho yaar? wo toh acha
hai ki ek balance bigadta hai toh dusra uss balance ko wapas thek karta hai agar dono hi
balance bigadne me lag jaate toh ho jana tha sabka kalyaan Anjali ki baat sun sabhi hans
diye

Shaila:- par main question toh reh hi gaya naa aur wo ye ki Anjali ko Bhuvika aur Beelzebub
ne zinda kaise chhoda aur Anjali yaha kaise aayi? Shaila ke sawal par maine koi jawab nahi
diya bas apna haath aage kar diya mere haath aage karte hi hum sabke saamne hawa me
ek film jaisa chalne laga ye film aur kuch nahi wahi scene tha jisme Beelzebub aur Bhuvika
ne Ronit aur Anjali par hamla kiya tha uss scene ko chalte dekh sabhi samjh gaye ki asal
me kya hua tha wo un sabko dikhne wala hai toh hua ye tha ki Ronit ko toh Beelzebub ne
bol diya tha ki tujhe aisi saza denge jise tu jite ji mar jayega aur wo saza thi Anjali ki mout
aur issliye Bhuvika ne Anjali ke pet me ek talwar ghussa di thi Ronit already behosh ho
chuka tha talwar pet me ghuste hi Anjali niche zamin par gir gayi aur girne ke kuch hi
lamho ke baad uski aatma uske sharir se bahar nikal aayi aam aadmi aatma ko sharir se
nikalta hua nahi dekh sakta par Beelzebub aur Bhuvika ki baat alag thi un dono ne Anjali
ki atma ko uske sharir ko chhod bahar aate dekha aur ye dekhkar wo khush ho gaye jahan
ek taraf Beelzebub aur Bhuvika haste hue Anjali ki aatma ko dekh rahe the wahi Anjali ki
aatma behad udaas thi par kuch der baad Beelzebub aur Bhuvika ki khushi shock me badal
gayi reason sharir se nikal Anjali ki aatma ko Prithvi lok se gayab ho jana chahiye tha par
aisa hua nahi wo wahi apne sharir ke paas khadi rahi jise dekh dono chonke the waise
shock toh Anjali ki aatma ko bhi laga tha wo bhi samjh nahi paa rahi thi ki jab uska jeevan
kaal khatam ho chuka hai toh wo waha par kya kar rahi hai? Beelzebub aur Bhuvika iss
bare me soch hi rahe the ki tabhi uss jagah par Asmodeus ki awaaz gunji

Asmodeus:- Anjali ko maara nahi jaa sakta Asmodeus ki awaaz aur usme batayi baat ko
sun Beelzebub Bhuvika aur Anjali ki aatma shocked ho gaye koi kuch kehta tabhi ek baar
firse Asmodeus ki awaaz gunj gayi

Asmodeus:- Vikram ne jane se pehle Anjali aur Ronit ko khudke saath jod liya hai jab tak
Vikram in dono ko khudse alag nahi karta ya fir wo khud nahi mar jata tab tak in dono me
se kisi ko bhi maara nahi jaa sakta Asmodeus ki baat sun Beelzebub ki aur khaas kar
Bhuvika ki jal gayi thi
Bhuvika:- ye Vikram jaate jaate bhi hume hara gaya Asmodeus aur fir Bhuvika ki baat sun
Anjali ki aatma hans padi jise dekh Bhuvika aur Beelzebub ko aur ghussa aa gaya

Anjali:- tum dono ne ye soch bhi kaise liya tha ki Vikram tum jaiso se haar sakta hai socho
bina saamne aaye Vikram ne tum dono ki le li toh jab wo saamne aayega toh tum dono
ka kya haal hoga Anjali ki baat sun Bhuvika ek baar firse naya spell bolne jaa rahi thi ki itne
me

Asmodeus:- Bhuvika tum turant Anjali ki aatma ko lekar yaha aao aur Beelzebub jo jagah
maine tumhare mastishk me bheji hai tum Anjali ke sharir ko lekar waha jaao par usse
pehle Anjali ke sharir ki ek nakal (Clone) banakar ek vaahan me uski aur Ronit ke sharir ko
daal do aur uss vahan ko iss jagah se neeche fek do Asmodeus ki baat naa toh Beelzebub
kaat sakta tha aur naahi Bhuvika jahan ek taraf Anjali ki aatma ko saath lekar Bhuvika
Asmodeus ke paas chali gayi jahan usse Asmodeus ne Anjali ki aatma ko Shadow World
me kaid karne ka aadesh diya (aapko yaad hoga doston ki Bhuvika ek baar beech me
Shadow World aayi thi aur yaha aane aur samay sanchalkon se milne ke baad wo aur
Beelzebub ek dusri jagah ud nikle the wo Anjali ke spirit se hi milne aaye the) wahi
Beelzebub ne Asmodeus ke aadesh anusaar pahle Anjali ke baalon se uske jaisi hi ek nakal
banayi aur uss nakal aur Ronit ke sharir ko ek vaahan me daal neeche dhakel diya uske
baad Beelzebub Anjali ki body ko lekar gayab ho gaya pura scene khatam hote hi saamne
hawa me chal rahi picture gayab ho gayi par jaise hi wo picture gayab hui Ronit turant
mere gale lag gaya

Ronit:- yaar tune khud itni mushkilon me ghire rehne ke baawajud meri aur Anjali ki safety
par dhayan rakh hua tha aur maine tujhe kya kya nahi kaha tha

Main:- ab tu toh hai hi gadha aur gadhe ki baat ka kya bura maanna? meri baat par sabke
saath Ronit bhi hans diya

Main:- ab toh saare sawalon ke jawab mil gaye naa

Shaila:- ek bacha hai

Akshaant:- tumhare sawal kabhi khatam hue hai bhala?

Shaila:- kya kaha?

Akshaant:- nahi kuch nahi wo toh main puch raha tha ki ab kaun sa mahatwapurn sawal
bach gaya hai? Akshaant ke hadbadahat ko dekh hum sab firse hans diye

Shaila:- Beelzebub Anjali ke sharir lekar kaha gaya?


Ronit:- arre haan yaar ye toh main sawal hai Anju ki body hai kahan?

Main:- sab pata chal jayega par pehle yaha se toh nikle tu toh Anjali se sirf dedh saal hi
alag raha hai par samay sanchalakon ko toh apne grah se najane kitni sadiyon se door kar
diya gaya hain ab waqt aa gaya hai ki unhe unka grah aur unka samman wapas kar diya
jaye meri baat par sabne sehmati dikhayi aur agle hi pal main sabhi ko lekar hawa me uth
chuka tha aur hum sab wapas samay sanchalokon ke paas jane ke liye ud chale

Avantika:- Vj wo dekho samay sanchalakon ke neeche ek baar fir se aag jal uthi hai maine
toh ye pehle hi dekh liya tha par mere saare dost jo ek dusre se baat kar rahe the Avantika
ki baat sunkar un sabki nazar bhi humse thodi door aage zameen par khade samay
sanchalakon par padi aur un sabko aag ki tapan se tadapte hue dekh hum sabhi ko bohat
dukh hua

Main:- bas kuch der aur uske baad in sabko khud ko diye gaye iss avishaap se mukti mil
jayegi yaha hum baat karte hue samay sanchalakon ke paas pahunch chuke the wahi aag
ki tapan se milte dard se tadapte hue un sabki nazar mujhpar padi toh uss dard me bhi un
sab ki aankhen chamak uthi ye pehli baar hua hoga jab itne dard me bhi samay sanchalak
khush the aur hote bhi kyu naa mujhe apne saamne dekh wo sab samjh gaye the ki unki
taklif ke din khatam ho chuke hain

Wahi Shadow World ke bahar

father Vikram Anjali se mil wapas shadows ke paas aa chuke hain ab wo kisi bhi waqt un
sabko lekar iss grah ke kaid ko todte hue bahar aa sakte hain Asmodeus jo ki Beelzebub
ke saath tab se hi Shadow World ke bahar pahunch chuka tha jabse Vikram and friends
iss grah ke andar gaye the usne Beelzebub ki baat par kuch kahe bina apne seene ke upar
apna haath rakha aur aisa karte hi uske seene ke beeche ek tez roshni hui aur uss roshni
ke beech se parivartak bahar aa gaya parivartak ke haath me aate hi Asmodeus ne usse
apne saamne rakh diya parivartak ko saamne rakh Asmodeus ne uske madhya bhaag ko
jise hokar anginat rekhayen charon taraf bani hui thi usse dabaya Asmodeus ke aisa karte
hi parivartak ke madhya bhaag me ek roshni ubhri aur fir wo roshni rays ke roop me un
anginat rekhayon se hoti hui bramhaand ke har jeevan deyi grahon se khudko jodne lagi
kuch hi palon me bramhaand ka har jeevendeyi grah parivartak se jud gaya tha jise dekh
Asmodeus aur Beelzebub ke chehre par ek muskaan naach gayi

Back to Shadow World:


Main:- chalen samay sanchalakon ke saamne pahunchkar jab maine ye kaha toh un sabhi
ne bas mere aage haath jod diye maano keh rahe hon ki ab hume iss kasht daayi shraapit
jeeven se mukti dila dijiye

Main:- bas ek kaam aur bacha hai pehle wo kar lete hain

Ronit:- abbe ab aur kya bacha hai?

Main:- tumhari shaktiyon ko aazmane ka waqt aa chuka hai doston meri baat kisi ke bhi
samjh me nahi aayi par isse pehle ki koi kuch puchta

Main:- Abraxas Abbadon Lilitha saamne aao meri baat sun waha moujud har kisi ko shock
laga tha wahi Abraxas Lilitha aur Abbadon jo ki samay sanchalakon ke hi bhesh me sabse
peeche khade hue the mere nmouh se apna apna naam sun unke toh jaise pran hi kooch
kar gaye the par ab wo kar bhi kya sakte the issliye apne asli roop me badalkar wo dheere
dheere saamne aane lage doston aapko yaad hoga ki jab main Shadow World me aaya
tha aus sabhi samay sanchalak meri taraf ghume the tab mere chehre par ek muskaan aa
gayi thi wo issliye hi aayi thi kyu ki maine samay sanchalakon ke beech bhesh badle in
teeno devils ko pehchaan liya tha wahi apne beech 3 devils ko dekh sabhi samay sanchalak
shocked ho gaye the aur unke jaise hi haal Avantika aur mere doston ka bhi tha

Avantika:- ye yaha kab aaye?

Main:- jabse Anjali yaha hai tabse jis bandhan ko hum sab todkar yaha aaye the wo in
teeno ne hi banaya tha par uske baad ye teeno behosh ho gaye the par kuch waqt baad
jab ye teeno hosh me aaye toh Asmodeus ne inhe yaha Shadow World me Anjali pe nazar
rakhne ka kaam soumpa aur tabhi se ye shadows ke bhesh me yaha base hue hain ab tak
wo teeno devils hum sab ke saamne pahunch chuke the aur jab unhone mujhe apne
doston se baat karte hue dekha toh unhone mujhpar waar karne ki sochi aur issliye teeno
ne teen agni gole meri taraf feke jo ki behad tez gati se meri taraf badh chale mere dost
toh meri baat sunane me busy the par iss waar ko samay sanchalakon ne dekh liya par
isse pehle ki wo mujhe sachet kar paate wo gole mere ek dum kareeb pahunch chuke the
aur issliye ek ke baad wo teeno gole mujhse takraye aur fir aahhh ye dard bhari karaah un
teeno devils ke mouh se nikli thi aur reason mujhse takrate hi wo aag ke gole wapas ghum
gaye aur 10 guna tezi se jaakar wapas un teeno devils se takraye jise wo teeno sambhal
nahi paye aur ek ek karaah bharte hue peeche ki taraf jaakar gire

Main:- saara dimag khudke paas rakh sirf bewakufun ki hi toli bana rakhi hai kya mere
bhai ne meri baat sun waha khada har koi hans diya
Ronit:- abbe chutiyon kya soch kar Vj par waar kiya be tum teeno ne ab tumhare jaise bhi
isse chot pahunchane lage toh fir ho gaya kalyan ab tak teeno devils khade ho chuke the
aur apne anjaam ka soch dar ke maare kaamp rahe the

Main:- chaahun toh ek pal me hi tum teeno ki kaali aatmaon ko tumhare sharir se alag kar
uss kaali duniya me bhej dun jahan dard aur taklif ke siwa kuch nahi par main aisa karunga
nahi meri baat sun wo teeno devils khush ho gaye par tabhi

Main:- khush kyu ho rahe ho? maine kaha ki main aisa nahi karunga ye toh nahi kaha ki
aisa hoga hi nahi tumhe main nahi Ronit Akshaant Mokalsar aur Shaila saza denge jahan
meri baat sun wo teeno devils khush ho gaye wahi Anjali ko ho gayi tension devils issliye
khush ho gaye kyu ki unhe laga ki Ronit aur baaki teeno ko wo yunhi hara denge wahi
Anjali ko ye dar satane laga ki agar mere dost un devils se lade toh anjaam wahi hoga jo
uska aur Ronit ka hua tha jab wo dono Beelzebub aur Bhuvika se lade the aur issliye

Anjali:- Vj ye kya bol raha hai ye charon sirf yoddha hain aur wo teeno kaali shaktiyon ke
rakhwale un sabke paas kaali shaktiyon ka bhandaar hai kya tujhe yaad nahi ki mere aur
Ronit ke saath kya hua tha? fir bhi tu inhe un teeno se ladwa raha hai Anjali ki baat sun
un teen devils ko laga ki kahi main apna irada badal naa dun aur issliye

Abbadon:- hume manzoor hai par tumhe bhi vaada karna hoga ki agar hum teeno jeete
toh tum hume kuch nahi karoge

Main:- tumhe lagta hai ki tum jeetoge chalo main tumhe ek aur rihayat deta hun agar tum
teeno me se koi bhi mere doston ke saamne to minute se zyada tik gaya tab bhi main tum
teeno ko chhod dunga meri baat sun jahan wo teeno devils khush ho gaye wahi Anjali ki
tension aur badh gayi wo kuch kehti isse pehle hi Avantika ne uske kandhe par haath rakha
aur

Avantika:- bharosa rakh tu itna toh janti hai naa ki Vj kuch bhi yunhi nahi kehta so relax
Avantika ki baat aur uske aankhon me dikh rahe bharose ko dekh Anjali chup zaroor ho
gayi par tension uske chehre par ab bhi dikh raha tha mere dost jo meri baat sun andar hi
andar behad khush ho rahe the wo mere aage aa gaye wahi un teeno devils ne bhi apne
apne mann main awaha kar ek ek jaaduyi astra apne haathon me prakat kar liya tha par
isse pehle ki wo teeno devils un astron ka prayog karte shakti bandham power
confinement bandhan nitamayati confinement suffocation pehle spell Akshaant Shaila
aur Mokalsar ne kaha tha aur dusra spell Ronit ne pehle spell ke prabhav me aate hi un
teeno devils ki body akadne lagi aur kuch hi palon me wo teeno ek jagah jam hokar reh
gaye the wo teeno hil tak nahi paa rahe the wahi Ronit ke dwara uccharit spell ke pravhav
me aate hi wo bandhan jisme teeno devils jakad chuke the ab aur kasne lagi aur dekhte
hi dekhte wo bandhan itne kasne lage ki aahhh in dard bhari karahon ke saath saath un
teeno devils ke sharir se unka kaa khun bhi nikalne laga tha un teeno ki aankhon me dard
aur avishwas ki rekhayen saaf dekhi jaa sakti thi waise shocked toh un teeno devils se kahi
zyada Anjali thi usse yakin hi nahi ho raha tha ki Ronit ne aur uske baaki ke teen doston
ne un teeno devils ko hara diya tha aur wo bhi itne kam waqt me aur iss shock me aur
izafa hua jab

Ronit:- pranghaath kill Ronit ke dwara bole gaye iss spell ke saath hi uske haathon se teen
gaadhi white rays nikli aur sidhe jaakar un teeno devils se takrayi aur aisa hone ke agle hi
pal aahhh ek karn bhedi cheekh ke saath un teeno devils ke sharir blast ho chuke the mere
doston ke iss parakram ko dekh jahan sabhi samay sanchalak khush ho gaye the wahi iss
scene ko dekh Anjali ka shocked hona toh banta tha naa jahan ek devils se ladhna tak
mushkil hota hai waha Ronit ne ek hi waar me teen teen devils ko khatam kar diya tha wo
fati aankhon se Ronit aur baaki teeno ko dekh rahi thi wo waise hi khadi rehti par tabhi
uske kandho par mera hath pada jise wo hosh me aayi

Anjali:- ye in charon ne kaise kya? aur Ronit tune toh ek hi waar me un teeno devils ko
maar diya I mean howzz this even possible

Ronit:- every thing iss possible baby in dedh salon me hum sabke saath sirf bura hi nahi
hua hai balki kuch acha hi hua hai jo tune abhi dekha wo un acchi chizon me se ek tha iske
baad Ronit ne hamare Mirrors World ke adventure ke bare me bataya aur saath hi
Yeluptus me kaise un sabne apni shaktiyon ko control kiya wo kissa bhi sunaya jise sun
Anjali ki khushi ka thekana na raha

Anjali:- shit yaar maine kya kya miss kar diya Anjali ne iss baat ko aisi funny tone me kahi
ki hum sab hans diye

Main:- ab chalen waise bhi kafi waqt guzar chuka hai meri baat par sabhi ne sehmati jatayi
maine apne seene par ek baar firse haath rakha aur agle hi pal mere seene se hote hue
meri sword bahar aa gayi meri sword ko dekh samay sanchalakon ne apna sar ek baar
firse jhuka liya tha

Anjali:- yahi wo sword hai naa jise tune Mirrors World se haasil kiya tha

Ronit:- haan yahi hai aur issiki madad sei Vj ne devils ke bandhan ko toda tha par abhi Vj
ki kya zaroorat iss world ke upar jo salakhen thi usse toh tune tod diya tha naa
Main:- toda nahi khola tha par hamare andar aate hi wo firse pehli jaisi ho gayi hongi aur
ab usse kholne ka bas ek hi tarika hai aur wo ye ki main usse tod dun aisa karne ka sochna
bhi mat abhi koi kuch kehta usse pehle hi pure Shadow World me ye awaaz gunj gayi jise
sun sab shocked ho gaye par sabse zyada shocked main tha aur wo issliye kyu ki main iss
aawaz ke malik ko pehchanta tha

Main:- Asmodeus jahan mere mouh se Asmodeus sun Avantika mere dost aur samay
sanchalak shocked hue wahi hahaha vatavaran me Asmodeus ki hasi gunj uthi jise sun
hum sab har jagah dekhne lage par Asmodeus kahi nazar nahi aaya baakiyon ko chhodo
mujhe tak wo nahi dikha hum sab yaha waha dekh hi rahe the ki tabhi

Asmodeus:- main waha hun hi nahi toh dikhunga kaise? main grah se bahar hun bas meri
awaaz iss grah ke andar pahunchkar rahi hai waise bhi jis grah me tum sab ho wo mera
banaya gaya kaaragar hai aur apne hi banaye kaaragar me main kyu kaid rahun? aur
Vikram tum bhi mujhe issliye nahi dekh paa rahe ho kyu ki maine iss grah ko aisa banaya
hai ki iske andar rehkar antariksh me nahi dekha jaa sakta khair main kya keh raha tha?
haan Vikram mere bhai tum apni jis maha shakti shali sword ka istemal kar iss grah roopi
jail ko todne jaa rahe the usse wapas apne andar sama lo kyu ki agar tumne uss sword ka
prayog kiya toh ye grah numa karagar toh zaroor tutega par uske saath saath pura
bramhaand bhi khatam ho jayegaa Asmodeus ki baat sun hum sab shocked ho gaye

Asmodeus:- parivartak ko toh bhule nahi hoge wahi parivartak jo un sab ki milkiyat hai
jinhe iss garh numa kaid se chhudaane tum yaha aaye ho wahi parivartak jisne tumhari
aur tumhare chahne walon ki zindagi ko pura ghuma diya tha aur aaj fir se wahi hone wala
hai maine ussi parivartak ki kirno se usse iss grah aur iss grah ke saath saath pure
bramhaand ke har jeeven deyi grah se jod diya hai issliye agar tumne iss grah ko todne ki
koshish ki toh iske saath saath isse juda hua har grah nasht ho jayega Asmodeus ki baat
sun hum sabka dimag chakra gaya tha yahi haal samay sanchalakon ka bhi tha wo sab
jante the ki Asmodeus ne jo bhi kaha hai wo shat pratishat sach hai agar maine iss grah
numa karaagar ko toda toh iske saath saath bramhaand ka har jeeven deyi grah khatam
ho jayega aur saath hi khatam ho jayega un grahon me basne wala jeeven mujhe dekh jo
nayi ummid samay sanchalakon ke mann main jagi thi wo firse dhundli hone lagi thi

Avantika:- ab kya kare ge Vj? iss kaid se bahar kaise niklenge?

Main:- pata nahi Avantika? aisa kuch bhi ho jayegaye maine socha nahi tha hahaha jaisi
hi meri baat khatam huyi ek baar firse har taraf Asmodeus ki hasi gunj uthi
Asmodeus:- Vikram Lord of Angels kitne afsos ki baat hai ki itni shaktiyan itni durdarshita
hone ke baawjud tum ek hi daav ko do do baar nahi samjh paye issi daav se maine tumhe
Courious me bhi haraya tha aur aaj fir tum issi daav se haar gaye ho haar aur jeet ka faisla
tumne itni jaldi kaise kar liya? apni baat keh Asmodeus ek baar firse hasne wala tha ki
tabhi ek baar firse har taraf ek awaaz gunj uthi jise sunkar Asmodeus aur Beelzebub
shocked ho gaye waise shocked toh main Avantika mere dost aur samay sanchalak bhi
hue the reason jo awaaz abhi abhi gunji wo aur kisi ki nahi balki meri thi

Avantika:- Vj ye toh tumhari awaaz hai naa? par ye toh iss planet ke bahar se aa rahi hai?

Ronit:- bhai ab ye kya maaya jaal hai?

Main:- yaar mujhe khud nahi maalum ki kya ho raha hai? yaha neeche sabhi shocked
haalat me the aur wahi bahar Asmodeus aur Beelzebub ki bhi same condition thi sab apne
apne soch me goom the ki tabhi Asmodeus se kuch door uske saamne ek dhua uthne laga
aur jaise jaise uss dhuen ne roop lena shuru kiya Asmodeus aur Beelzebub ki aankhen
badi hone lagi par iske saath saath ek aur cheez bhi hui thi aur ye chiz Shadow World ke
andar hui thi aur wo ye thi ki jaise hi Asmodeus ke saamne uthe dhuen ne roop lena shuru
kiya thek ussi waqt

Avantika:- Vjjj Avantika ki cheekh sun sabka dhayan uski taraf gaya aur waha jo ho raha
tha wo dekh sabhi ki aakhen badi ho gayi toh hua ye ki jaise jaise Asmodeus ke saamne
uthe dhuen ne roop lena shuru kiya waise waise mera roop dhuen me badalne laga aur
jaise hi Asmodeus ke saamne uthte dhuen ka roop pura hua main dhuen me badal gayab
ho chuka tha ye sab hota dekh Avantika samay sanchalak aur mere dost hadh se zyada
shocked ho gaye wahi Shadow World ke bahar jaise hi uss dhuen ne pura roop liya toh
Asmodeus aur Beelzebub ki bhi aankhen badi ho gayi aur ussi shock me Asmodeus ke
mouh se nikla

Asmodeus:- Vikram tum? Asmodeus ki baat sun main muskura diya

Main:- tumhe yun hairan pareshan dekh acha laga meri baat sunne ke baad bhi Asmodeus
ne kuch nahi kaha wo bas mujhe dekhe hi jaa raha tha uski aankhon me jigyasa saaf dikh
rahi thi aur issliye

Main:- tumne tumhara purana daav ek baar firse mujhpar chalane ki sochi toh maine bhi
tumhara hi daav tum par aazmaane ki sochi nahi samjhe tumhara wahi daav jise istemaal
kar tumne mujhe Isla me haraya tha bhram maaya ek adbhudh maaya ek aisa spell jise
khudke ek aise Clone ko banaya jata hai jise khud bhi nahi pata hota ki wo ek Clone hai
uss Clone ke andar apne asli roop ke saare talent saari yaadein matlab sab kuch hota hai
ek aisa spell jiske bare me iss bramhaand me sirf tum jante ho ab tumhare saath saath
main bhi iske bare me naa sirf janta hun balki tum dekh hi chuke ho ki iss spell ka safalta
purvak istemaal bhi kar sakta hun par bhai hun tumhara wo bhi chota aur chote bhai ka
toh bade bhai ki cheezon par hak hota hi hai kyu? Asmodeus jiski aankhon me ab bhi
hairat tair rahi thi meri baat khatam hote hi

Asmodeus:- kaise? Asmodeus ke sawal par main firse muskura diya

Main:- iska shray bhi tumhe hi jata hai jis khoon ki madad se tumne mujhse mere astitv
ko cheena tha theek hone ke baad maine bhi usse upyog me liya maine tumhare khoon
ke ek boond ko apne andar hi rehna diya aur usse lekar ek aisi jagah gaya (Twisted
Dimension) jahan bina dar ke uss khoon me chupi tumhari shakti ko bahar nikalkar usse
jaanch sakun (yahi wo dusra reason tha doston jiski wajah se Vikram aur Avantika Twisted
Dimension gaye the) waise toh uss jaanch ka mukhya uddeshya Anjali ke bare me pata
lagana tha par usse pehle mere haath tumhari ye chamatkarik shakti lag gayi aur thek
tabhi mere dimag me ek yojna ubhri maine socha ki tumhari hi tarah kyu naa har cheez
parde ke piche se dekh kar uska aakalan kiya jaye issi soch ke saath maine apni yojna ko
ya fir ye kahu ki khudko ek naya roop diya bhram maaya ka istemal kar maine apni ek
nakal banayi jo Vikram Monslickel gaya tha aur jise gale lagakar tumne uske andar Shadow
World ki jhalkiyan daali the wo nakli tha par kyu ki bhram maaya ki wajah se mere nakal
tak ko ye maalum nahi tha ki wo asli nahi hai toh tumhe kaha se pata chalta? par in sab
ko dekh kar main samjh gaya tha ki tum kisi naye firak me ho fir maine socha ki jab mere
bhai ne itni mehnat ki hai toh kyu naa usse uske saare prapanchon ko pura kar lene dun
uske baad uske saamne aaun aur lo tumhare shadyantra ke pura hota hi main tumhare
saamne hun meri saari baat aur planning sun Asmodeus ko zara sa bhi ghussa nahi aaya
ulta uske aankhon me prashansha ke bhaav aa gaye the shayad yahi wajah thi ki
Asmodeus jo tha wo tha usse samjhna iss bramhaand ki sabse badi paheli thi wahi meri
kahi har baat sirf Asmodeus aur Beelzebub hi nahi sun rahe the balki Shadow World me
khade Avantika samay sanchalak aur mere saare dost bhi sun rahe the aur wo sab bhi
meri baat aur planning sun khushi se jhum uthe the samay sanchalakon ki jo ummid
tootne lagi thi wo firse jaag chuki thi wo unhe koi dar nahi tha wo jante the ki unka vanvaas
khatam ho chuka hai

Asmodeus:- jaise har galti ki saza hoti hai waise hi har jeet ka inaam bhi milta hai aaj tum
jeete ho issliye inaam toh banta hai ye bol Asmodeus ne parivartak mere saamne kar diya
maine bhi muskurate hue parivartak ko uske haathon se le liya main janta tha ki Asmodeus
ne uss chiz ko jise paane ke liye usne kitni mehnat ki thi mujhe yunhi kyu soumpa tha
Asmodeus ko pata tha ki ab uske paas parivartak ke rehne ka koi matlab nahi hone wala
kyu ki ab wo samay sanchalakon ko kaid me nahi rakh sakta aur ek baar samay sanchalak
azaad hokar apne grah lout gaye toh parivartak bhi apne aap hi unke paas chala jayega
aur issliye hi Asmodeus ne mujhe pehle se parivartak thama diya tha parivartak dene ke
baad Asmodeus ne mujhe ek pal ke liye dekhaaur fir Beelzebub ko lekar gaayab ho gaya
ek lambi saans chhodte hue maine parivartak ke beech ke bhaag ko ek baar firse dabaya
aisa karte hi jo rays usse nikalkar dusre sabhi grahon se jude hue the wo wapas parivartak
ke andar sama gaye iss kaam ko khatam kar maine ek baar firse apne haath aage kiya aur
agle hi pal mere haath ke upar curious tree ke branches ka powder aa chuka tha powder
ke haath me aate hi maine ek fook maari jise ek baar firse uss powder ne pure Shadow
World ko ghera aur uske salakhon ko chhute hi wo jaaduyi salakhen gaayab ho gayi aur
agle hi pal Shadow World me jitne bhi log the wo hawa me uthne lage ya fir ye kahu ki
maine un sabko hawa me utha liya tha hawa me tezi se upar uthte hue wo sab kuch hi
lamho me Shadow World ke bahar nikal chuke the aur dekhte hi dekhte wo sab mere
saamne aakar ruke mere paas aate hi Avantika ne jhat se mujhe gale laga liya Avantika ke
baad main baaki sabse gale mila samay sanchalakon ne apne apne sar jhukaakar mujhe
thanks kaha

Ronit:- yaha ka saara kaam khatam hua ab chalen?

Main:- ek kaam baaki hai apni baat keh maine apne sword ka awaha kiya aur jaise hi meri
sword mere haath me aayi toh maine apni sword ko Shadow World ki taraf fekh diya aur
agle hi pal meri sword tezi se aage badhi aur dekhte hi dekhte usne Shadow World ko
beech se aise kaat diya maano wo koi planet naa hokar cake ho do faal me baththe hi
Shadow World ke dono hisso me dhamake hue aur agle hi pal Shadow World ka pura
astitv hi khatam ho chuka tha apna kaam khatam kar meri sword wapas mere andar sama
gayi

Main:- ab yaha ka kaam khatam hua meri baat par koi pratikriya deta usse pehle hi mere
body se ek roshni nikal sab par padi aur agle hi pal hum sab gayab ho chuke the

Planet: Yeluptus Place: Stormy Desert

lijiye aap apne ghar pahunch gaye Yeluptus me prakat hote hi maine samay sanchalakon
se ye baat kahi jise sun wo sab khush bhi hue aur dukhi bhi khush apne grah me wapas
aakar aur dukhi yaha ke haalat ke dekhkar jo pehle ek sundar sa grah tha wo ab puri tarah
se banzar ho chuka tha maine un sabki bhaavnaao se achi tarah waakif tha issliye
Main:- udaas mat rahiye sab pehle jaisa ho jayega par pehle aap sab apne apne sharir me
wapas loutiye Anju teri body bhi yahi dafan hai meri baat sun Anjali aur mere saare dost
shocked ho gaye wahi Avantika normal hi rahi reason aapko yaad hoga doston ki Isla me
baithkar baat karte waqt maine Avantika se kuch kaha tha jise sun wo shocked ho gayi thi
wo yahi baat thi

Ronit:- kya bol raha hai yaar? Anju ki body yaha hai?

Main:- haan samay sanchalakon ki body se nikalne wali white energy ki wajah se Avantika
ki body bhi pehle jaisi hi hai Asmodeus janta tha ki yahi ek jagah hai jahan Anjali ki body
ko rakhne se uski aatma Shadow World me kaid rahegi kyu ki aur koi bhi jagah par kisi bhi
energy ki force ke hone ke baawajud Anjali ki aatma uski body tak pahunch sakti hai par
iss is jagah par nahi kyu ki ek yahi jagah aisi hai jo do hisso me bati hui hai ek hissa toh
yahi hai aur dusra samay sanchalakon ki aatma ki wajah se Shadow World ban chuka tha
aur Monslickel chhodkar Shadow World hi hai jo khud Asmodeus ne banaya hai
Monslickel me wo Anjali ki paak saaf rooh ko rakh nahi sakta issliye usne Shadow World
ko iss kaam ke liye chuna aur wo aatma shaant rahe issliye Anjali ki body ko usne yaha
dafan kiya tha

Ronit:- bhai ab kya bolun? tu aur tera wo ajeebo garib bhai kya kya karte rehte ho ye tum
dono hi jaano mujhe toh bas itna bata ki ab kya kare?

Main:- tujhe kuch nahi karna hai jo karna hai kaine already kar diya hai

Ronit:- matlab? maine kuch nahi kaha bas chup chaap khada raha aur isse pehle ki koi
kuch kehta zamin hilne lagi aur dekhte hi dekhte samay sanchalakon ki bodies zameen se
bahar aane lagi maine apne doston ko ek taraf ishara kiya aur jab mere ishare kiye hue
jagah par mere doston ki aur khaas kar ke Anjali aur Ronit ki nazar gayi toh wo khushi se
ucchal pade reason samay sanchalakon ki bodies ke beech ek body hamari Anjali ki bhi thi
naa hi samay sanchalakon ki bodies me koi badlao aaya tha aur naahi Anjali ke body par
unhe dekhkar aisa lag raha tha maano wo sab bas soye hue hain reason un sab bodies ke
upar white energy ki ek chaadar si bichi hui thi jiski wajah se wo sab ab bhi pure fresh lag
rahe the apni apni body ko dekh saare samay sanchalak khushi khushi uski taraf badh gaye
maine Anjali ko bhi apni body ke paas jane ko kaha Ronit ke saath saath wo bhi apni body
ke paas chali gayi aur agle hi pal saari aatmayen including Anjali apne apne sharir me enter
kar gayi aur aisa hote hi saari bodies ko ek jhatka sa laga aur agle hi pal un sabki aankhen
khul gayi aur sab ek jhatke me uth kar khade ho chuke hosh me aate hi sabhi sanchalak
aur Anjali apni apni body ko chu chu kar khudko yakin dilane lage ki wo sab thek ho gaye
hain Ronit ki aankhen ek baar firse bheeg gayi thi wo ek tak Anjali ke khubsoorat chehre
ko dekhe jaa raha tha khudko kuch der tak feel karne ke baad jab Anjali ki nazar Ronit ke
chehre par padi toh wo jhat se aage badhi aur uske gale lag gayi wahi theek hone ke baad
sabhi samay sanchalak mere aage haath jodkar khade ho gaye

Main:- maine pehle bhi kaha tha ki ye sab karne ki koi zaroorat nahi aur haan ye rakhiye
ye bol maine apna haath aage kiya jispar iss waqt un sab ki dharohar parivartak rakha hua
tha sadiyon baad apni chez ko dekh sabhi sanchalak bohat khush ho gaye mere haath se
apni chez lekar wo ek baar firse mujhe dhanyawaad karne lage maine muskurate hue apna
haath har taraf ghumaya aur agle hi pal pure Yeluptus ka nazara badalne laga pura grah
jo banzar ho chuka tha wo ek baar firse pehle ki hi tarah khubsoorat ho chuka tha mausam
ke tapan kam ho chuki thi aur uski jagah halki halki thand ne le li thi ye sab dekh wo saare
aur khush ho gaye yaha itna kuch ho chuka tha aur waha hamare Ronit bhai sahab aur
Anjali madam ek dusre me hi lage hue the aur issliye

Main:- ab bas bhi karo yaar maine ye baat thoda zor se kahi thi jise sun Anjali aur Ronit
hadbadate hue alaga hue jise dekh hum sab hans diye

Ronit:- kya hai be thek se gale toh lagne de

Main:- apni bakwas band kar ek aakhri kaam baaki hai pehle wo kar len

Ronit:- saale tere kaam kabhi khatam honge bhi ya nahi?

Main:- kaam zaroor hai par mera nahi Anjali ka meri baat sun Anjali aur Ronit chonke

Dono:- matlab?

Main:- matlab janane se pehle do adhuri baat puri kar lete hain pehli yaad hai kuch der
pehle Shadow World me tune mujhe I mean meri nakal ko bataya tha ki tune ek baar firse
Ronit se judne ki koshish ki thi par firse fail ho gayi thi jispar mere nakal ne tujhe bataya
tha ki tu fail toh hui thi par puri tarah nahi

Anjali:- arre haan ye main kaise bhul gayi? uska matlab kya tha?

Main:- uska matlab ye tha ki dusri baar try karne par teri aantarik shakti toh Ronit tak nahi
pahunch payi par uss shakti ki wajah se tere dimag ka ek hissa Ronit ke dimag me zaroor
fit ho gaya tha Ronit Mirrors World me tu baaki teeno se dimag ke maamle me isiiliye
aage tha kyu ki tere dimag me teri soch ke saath saath Anjali ki soch aur dimag bhi juda
hua tha tu ek hokar bhi do tha aur issliye tu kisi bhi chunouti ko in teeno se behtar samjh
paa raha tha mere iss khulase se Ronit Anjali Mokalsar Akshaant aur Shaila bhi shocked
ho gaye the

Main:- zyada shocked mat ho abhi ek aur jhatka lagna baaki hai

Shaila:- ab aur kya baaki reh gaya?

Main:- dusri adhuri baat Ronit yaad hai jab tum sabki shaktiyan tum sabke control me aa
chuki thi uss waqt bas tujhe hi thoda bhaari bhaari lag raha tha

Ronit:- haan par tune kaha tha ki kuch der me thek ho jayega

Main:- toh kya thek hua?

Ronit:- nahi ab bhi mujhe bhaari bhaari lag raha hai

Main:- wo issliye kyu ki tere andar extra shaktiyan hain aur wo extra shaktiyan Anjali ki
hai ab ye ek naya aur bohat bada bomb tha jo mere doston aur khaas karke Ronit aur
Anjali ke upar gira tha wo mouh faade meri taraf dekhne lage

Main:- ghuro mat sab batata hun darasal baat ye hai ki Mirrors World ki chunoutiyon ke
douran bhale tu ye nahi janta tha ki tere har jawab aur pratis pradha me tere saath saath
Anjali ka dimag juda hua hai par the three mirrors ye baat ache se jante the aur issliye jab
tum sab ne apni saari chunoutiyan safalta purvak puri ki toh tumhare saath saath Anjali
bhi Mirors World ki chunoutiyon ki vijeta ban gayi thi aur jab miirors ne tum sabko
shaktiyan di toh Ronit tere andar mirrors ne Anjali ke hisse ki shaktiyan bhi de di par kyu
ki tum sabhi ki shaktiyan uss waqt unstable thi aur maine un shaktiyon ko baandh diya
tha issliye tujhe koi fark nahi pada par jaise hi tune apni shaktiyon ko control kiya to Anjali
ki shaktiyan bhi tere control me aa gayi par kyu ki ye teri nahi hain issliye tujhe apne andar
extra bhaar lag raha hai meri dono adhuri baat puri ho chuki thi par mere doston ke mouh
aur zyada khul chuke the

Main:- mouh band karo be meri baat sun un sabne hadbadate hue apne apne mouh band
kar liye

Main:- ab suno wo kaam jo bacha hua hai

Main:- Anju Ronit ke andar jo extra shaktiyan hain wo teri hain aur main unhe Ronit se
nikalkar tujhe de dunga par in charon ki hi tarah tujhe khudhi un shaktiyon ko control
karna sikhna hoga theek hai Anjali ne kuch nahi kaha bas wo doudkar aayi aur aakar mere
gale lag gayi
Anjali:- dheere se tu bhale hi mat bata par main janti hun ki Ronit ke paas jo mere dimag
ka ansh chhuta tha uske piche bhi tera haath hai tu janta tha ki ek din aisa aayega jab ye
sab apni shaktiyan badhane ke liye Mirrors World jayenge aur tu chahta tha ki inke saath
saath mujhe bhi wo shakytiyan mile

Main:- dekha issliye hi maine tere dimag ka hissa iss duffer ke andar chhoda tha tere bina
ye sab jeet nahi paate

Ronit:- ye kya khusur fusur kar rahe ho tum dono main

Main:- Anju propose kar rahi hai mujhe bol rahi hai ki tu mera bf banja

Ronit:- saale kamine abhi abhi gf mili hai aur tu usse mujhse chinane me lag gaya

Main:- jo apna ho usse kya chhinana

Ronit:- bhaag be

Main:- bhaagunga par Anju ko saath lekar

Ronit:- bas kar mere baap main haar gaya Ronit ne haath jod ye baat kahi thi jise dekh
hum sab hans diye

Main:- toh Anju tu ready hai apni shaktiyon ko control karna sikhne ke liye Anjali ne haan
me gardan hilayi

Main:- kya main iss kaam ko yaha kar sakta hun? maine samay sanchalakon se nivedaan
kiya jise un wo sab ek baar firse apne apne haath jod khade ho gaye

1st Sanchalak:- aisa bol hume lajjit naa kare lord ye pura grah aapka hai aapka jo dil chaahe
wo kijiye unki baat sun main muskuraya aur agle hi pal mera haath aage ho chuka tha jise
ek white ray nikal Ronit par padi aur tabhi Ronit ke body ke andar jo Anjali ki shaktiyan thi
wo bahar aa gayi aur agle hi pal wo shaktiyan Anjali ke andar sama chuki thi

Planet: Monslickel Place: Asmodeus planet

jo kaha hai wo thek se samjh aaya Asmodeus ki baat par Beelzebub ne haan me sar hilaya

Asmodeus:- jaa sakte ho Asmodeus ke bolne ke agle hi pal Beelzebub ne sar jhukayea aur
gaayab ho gaya Beelzebub ke gaayab hote hi Asmodeus dhayan aasan me baith gaya
dhayan me baith jaise hi Asmodeus ki aankhen band huitoh uske seene ke beech roshni
dikhne lagi aur uss roshni ke beech se do rays bahar aaye bahar aate hi wo rays ek taraf
badh gaye wahi gayab hokar Beelzebub bramhaand ke ek dusre kone me pahuncha aur
agle hi pal thek Asmodeus ki hi tarah uske andar se bhi ek ray nikli jise lekar Beelzebub
aage badh gaya Asmodeus ki ray aage badhte hue apni manzil par pahunchi aur gayab ho
gayi thek tabhi Beelzebub ne bhi apni ray ko uski manzil tak pahuncha diya jahan pahunch
wo ray bhi gayab ho gayi

Asmodeus:- antim padhaav aarambh hua

Planet: Yeluptus Place: Open Garden

arre waah meri body toh light ho gayi iska matlab Anju tayar hojaa ab tujhe bhi wahi feel
hone wala hai jo hume hua tha jaise hi maine Anjali ki shaktiyan Ronit se nikal Anjali ke
body ke andar daali toh Ronit ne apni baat kahi jiska matlab Anjali ko samjh me nahi aaya
par isse pehle ki wo Ronit se kuch puchti

Anjali:- arre ye mere body ko kya ho raha hai? ye achanak bhaari kyu hone lagi hai?
shaktiyon ke sharir me samane ke kuch pal baad dheere dheere uski body bhaari hone
lagi jis wajah se Anjali ne ye baat puchi wahi Anjali ki baat sunkar mere sabhi dost hans
diye

Ronit:- issi feeling ke bare me toh main abhi baat kar raha tha jo shaktiyan tere andar gayi
hain wo filhal unstable hain aur issi wajah se teri body bhaari ho rahi hai dheere dheere
ye bhaar aur badhega issliye turant dhayan me baith aur apni aantarik shakti ko apne
dimag se connect karne ki koshish kar

Mokalsar:- aur waise bhi itni sundar jagah me tujhe dhayan lagane me aasani hogi hum
jab yaha dhayan lagane baithe the tab ye jagah nirjeev thi par ab dekho yaha ka drishya
kitna manmohak ho chuka hai Mokalsar ki baat sahi thi jo planet pehle puri tarah banzar
thaab wo hara bhara tha aur iss waqt hum jis jagah par the wo pehle ek stormy desert tha
par ab ye ek dile sukoon garden me badal gaya tha aisi jagah dhayan lagane ke liye perfect
hoti hai jahan sabhi iss jagah ko khubsoorti ko niharne me lag gaye the wahi Anjali ke body
ka bhaar lagatar badhne laga tha aur issliye time waste naa karte hue Anjali jahan khadi
thi wahi turant dhayan awashta me baith chuki thi

Ronit:- kya lagta hai? Anju ko kitna time lagega?

Shaila:- kya pata? shayad hamare jitna hi lage

Main:- nahi wo jaldi hi apni shaktiyon ko control kar legi uski aantarik shakti tum sabse
zyada tez hai tabhi toh wo Shadow World jaise jail ke bandhan se bahar nikal hamare
planet tak pahunchne me successfull hui thi
Ronit:- arre haan yaar ye baat toh adhuri hi reh gayi tune Anju ke gaayab hone se lekar
uske milne tak ke bare me sab kuch bataya par ye nahi bataya ki Anju ne kaise apni
aantarik shakti ko itna mazboot bana liya tha ki wo ek planet se dusre planet tak pahunch
gayi jahan tak mujhe yaad hai tune hum sabko iski training nahi di thi

Main:- training toh maine Anju ko bhi nahi di thi bas hidayat di thi jise usne pure dil se
maani aur kaamiyab bhi hui

Ronit:- hidayat thi thi par kab?

Main:- jab main Isla gaya tha meri baat sun Ronit chonka

Ronit:- matlab

Main:- ye toh tum sabko pata hi hai ki Courious jane ka raasta mujhe Isla me hi mila tha
uss waqt main ye toh nahi janta tha waha mere saath kya hone wala hai par itna mujhe
zaroor andaza ho gaya tha ki jis grah ko itne sadiyon se Asmodeus chhupata hua aaya
haiusse yun open hota dekh wo kuch na kuch toh karega zaroor par kya aur kaise ye ek
paheli thi aur iss pahei ko sirf waqt hi suljha sakta tha mere paas bas khudko mazboot aur
tayar rakhne ke siwa aur koi chara nahi tha aur tabhi mere dimag me ek baat click huyi
aur wo ye ki sharirik shakti aur bal se Asmodeus mere doston ko bhale hi nuksaan
pahuncha de par agar main maansik tour par tum sabko sashakt banaun toh problem kitni
bhi badi ho tum sab kisi na kisi tarah usse bahar aa jaaoge issliye pehle maine Akshaant
Mokalsar aur Shaila ke mansik tarango ko ek dusre ke saath jod diya taaki agar koi ek bhi
mushkil me fase toh baaki dono usse bachane aa jayen wahi Courious jane se pehle main
ek baar dhayan me baitha tha main janta tha Anjali ki dhairya shakti tum sabse zyada hai
aur aantarik shakti ko control karne me nipun hone ke liye ye quality anivaarya hai issliye
dhayan me baithte hi Anjali se jud maine usse uski aantarik shakti par kaam karne ke liye
kaha tha ye maine tum dono ke liye kiya tha tum dono ko khudse jodne ki wajah se tum
me se koi mar nahi sakta tha par main ye bhi janta tha ki Asmodeus ke paas tum dono ko
maut si taklif dene ke aur bhi tarike honge main janta tha ki agar Anjali apni aantarik shakti
ko kaabu paana sikh le toh wo khudko aur tujhe har yaatna har atyachaar ko sehna sikha
degi mere Courious jane ke baad Anjali ne lagatar apni aantarik shakti par kaam kiya aur
aakhir kaar usne uspar kaabu paa hi liya jis wajah se wo mujhtak pahunchane me
kaamiyab hi thi

Ronit:- ohh par usne toh iss bare me mujhe kuch bhi nahi bataya tha
Main:- usne tujhe batane ki sochi thi par fir usne socha ki jab wo apni aantarik shakti par
kaabu paane me kaamiyab ho jayegitab tujhe batayegi aur jab tak wo kaamiyab hui tab
tak haalaat badal ya fir ye kahu ki bigad chuke the tujhe aur tere saath saath Anjali ko bhi
mere Clones ke negative hone ka ehsaas ho gaya tha aur fir uske baad kya hua ye toh tu
janta hi hai usse iss bare me batane ka mouka hi nahi mila

Shaila:- Vikram sahi hai Anjali ki aantarik shakti hum sab se wakayi zyada sashakt hai
dekho naa itni der ho gayi par Anjali ka dhayan ab tak nahi toota hai Shaila ki baat sun
baaki sab ka bhi dhayan Anjali par gaya jo iss waqt araam se dhayan me baithi thi

Ronit:- ye muskura kyu rahi hai dhayan me baithi Anjali ke chehre par achanak ubhri
muskaan ko dekh Ronit ne sawal kiya

Main:- iss waqt Anju ki aantarik shakti bhi uss jagah ki sarhad par pahunch chuki hai jahan
kuch din pehle tum charon ki aantarik shakti pahunchi thi jahan pahunchne ke baad tum
sab ki shaktiyan tumhare adhin hui thi

Sab:- swarg meri baat aur uss baat me batayi hui jagah ke bare me sunte hi un charon ke
mouh se ye shabd apne aap nikla

Main:- haan jahan mere mouh se haan sunkar mere dost khush ho gaye the wahi ab tak
hum sabki baaton ko chup chaap sun rahe samay sanchalakon ke dil jigyasa se bhar gaye
the reason unse hi sun lijiye

1st Sanchalak:- Lord Asmodeus ke kaid me fasne se pehle parivartak ke maadhyam se hum
har waqt angels se jude hue hote the aur angels ke zariye heaven se sadiyan beet gayi
hamare aankhon ko heaven ki manmohak sundarta ko dekhe hue aap sabke jane ke
pashchat jab hum sab ek baar firse apne kartavya ka punah nirwah aarambh kare ge tab
toh hum firse angels se jud unke maadhyam se heaven ko ek baar firse dekhenge hi kintu

Main:- mere mouh se heaven sun aap sabke mann main heaven ko abhi dekhne ki tivr
iccha jaagrit ho gayi hai maine samay sanchalak ki baat ko pura kiya jise sun usne aur baaki
sabhi sanchalakon ne firse apne haath jod liye

2nd samay Sanchalak:- aapse kya chhupa hai Lord? maine kuch nahi kaha par agle hi pal
mere sar ke upar hawa me ek chal chitra chalne laga ye chal chitra aur kuch nahi wahi
scene tha jo iss waqt Anjali ki aantarik shakti ke saamne chal raha tha scene ke saamne
aate hi samay sanchalakon aur unke saath saath mere doston ki aankhen bhi chamak uthi
reason ab agar sakshaat heaven ka drishya aakhon ke saamne chalne lage toh un aankhon
me chamak ka aana toh laazmi hai aur in sab chamakti aankhon me sabse zyada chamak
Ronit ke aankhon me thi aur wo issliye kyu ki baaki sab toh sirf ek jannat ko dekh rahe
thepar Ronit ke saamne do do jannat thi ek God ki banayi jannat aur dusra uska personal
swarg Anjali jo iss waqt heaven ke gate se andar hoti hui waha ke adhbhudh nazro ka
aanand lete hue aage badh rahi thi ek aur baat thi jo bohat achi thi aur wo thi Ronit
Akshaant Shaila aur Mokalsar ke mann ki bhaavna ek hi attempt me Anjali ne apni aantarik
shakti ko uski manzil tak pahuncha diya tha aur wo bhi bohat kam waqt istemaal karte
hue jabki mere baaki doston ko kuch zyada hi mehnat karni padi thi iss mukaam tak
pahunchne ke liye par iske baawajud in charon ke mann main thodi si bhi jalan ya fir
inferiority complex ne janm nahi liya tha aur ye bhavna rakhna sach me sarahaniya hai
khair jaisa ki mere saamne khade charon doston ke saath hua tha thek waisa hi Anjali ke
saath bhi hua par isse pehle ki Anjali ki aantarik drishti mere saamne aati maine chal chitra
band kar diya mere aisa karne se mere dost mujhe dekhne lage

Ronit:- kya hua? main scene toh reh hi gaya jisme tu Anju ki shaktiyon ko uske niyantran
me rehne ka aadesh dega

Main:- ab main jab khud yaha moujud hun toh kisi picture me ye sab kyu dekhna? ye bol
maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi mere haath se ek white ray nikli jo
sidhe jaakar Anjali ke sharir se takrayi aur agle hi pal Anjali ke sharir ko ek tez jhatka laga
aur uska sharir hawa me uth gaya hawa me uthte hi uske sharir par angels ke kapde aa
chuke the kuch der tak chamakte roshniyon ke beech Anjali ki body yunhi hawa me uthi
rahi aur fir jaisa jaise roshni kam hone lagiAnjali ki body bhi neeche aane lagi aur kuch hi
palon ke baad wo wapas hum sabke saamne khadi thi in sab kriyaaon ke dauran Anjali ki
aankhen ab bhi band hi thi zamin par aate hi uske body par jo angels ka libas tha wo gayab
ho gaya ya fir ye kahu ki uske sharir me sama gaya aur aisa hote hi Anjali ki aankhen khul
gayi ab Anjali ko bhi apni body me waisi hi aseem shaktiyon ka abhaas ho raha tha jaisa
mere baaki ke charon dost lagatar feel karte the

Ronit:- ab tu bhi humme se ek hai Anju Ronit ki awaaz ke kaan me gunjte hi Anjali jaise
hosh me aayi wo jhat se aage badhi aur Ronit ke gale lag gayi kuch der tak Ronit ki baahon
me rehne ke baad Anju ne baaki sabko bhi ek ek hug diya aur aakhir me wo mere saamne
aakar khadi ho gayi

Anjali:- waise toh tu mere aur Ronit ke liye hamesha se hi kuch na kuch karta aaya hai
hamari dhaal banta aaya hai jiske badle me tune hume thanks tak kehne nahi diya teri
tarah har kisika dimag toh nahi padh sakti par itna toh janti hun ki ab bhi tu mujhe shukriya
ada karne nahi dega aur shayad ye 6 letters ka word kabhi kafi bhi nahi hoga tujhe kehne
ke liye aur main iss layak bhi nahi ki tujhe kuch de paaun par phir bhi zindagi me agar aisa
koi mod aaye jab main tere liye kuch kar sakun toh ye mere liye ek blessing jaisa hoga
main Ronit se beintaha pyaar karti hun uske saath hasna chahti hun rona chahti hun ya fir
ye kahu ki jeena chahti hun par tu wo hai jiske liye main haste haste mar sakti hun Vj

Ronit/Akshaant/Mokalsar/Shaila:- main nahi hum hum sab mar sakte hain

Main:- mujhe pata hai par keemat maut ki nahi zindagi ki hoti hai issliye jiyo aur aisa jiyo
ki dusro ke jeene ki wajah ban jaao itna karo aur jo tumhe lagta hai naa ki maine tum
logon ke liye bohat kuch kiya haiwo saara hisaab clear ho jayega

Pannchon:- aisa hi hoga

Main:- hmm ab mudde ki baat pehle jo shaktiyan tum sabke paas thi unki ek seema thi
par ab jo shaktiyan tum sabke paas hai unki koi seema nahi hai jitna dhayan tum laagaoge
aur apni shaktiyon ko mehsoos karoge ye utni badhengi paanchon ne meri baat ko
samjhne ke andaz se sar hilaya par tabhi

Ronit:- oh teri jahan Ronit ki baat sun main muskura diya wahi baaki sab apni apni aakhon
me sawal liye uski taraf dekhne lage

Ronit:- yaar purane saare sawalon ke toh jawab mil gaye par ab jo naya sawal hum sabke
sar par baitha hua hai uska kya kare ge? jahan ek taraf Avantika aur mere baaki doston ko
ab bhi Ronit ii baat ya fir ye kahu ki uska sawal samjh me nahi aaya tha wahi samay
Sanchalakon ko toh jaise in sabse koi matlab hi nahi tha wo sab toh ab bhi mujhe apne
saamne dekh khush hue jaa rahe the khair kyu ki Ronit ke sawal ka matlab kisi ko bhi
samjh me nahi aaya tha issliye

Anjali:- tu kya bol raha hai humme se kisi ko bhi samjh me nahi aa raha hai?

Ronit:- arre naya sawal in the sense ki ab hum ghar me tere bare me kya aur kaise
batayenge? kaise batayenge ki tu zinda kaise hai? aur agar zinda hai toh ab tak kaha thi
and most importantly tu samjhkar jise jala diya gaya tha wo kaun thi? ab ghar walon ko
toh apne super natural kisso ki haqiqat nahi bata sakte naa? Ronit ka pucha sawal ek dum
valid aur solid tha par

Avantika:- kya Ronit jab Vj ne itni saari baaton ke bare me najane kab se soch liya tha toh
kya iss bare me usne kuch nahi socha hoga? Avantika jo ab tak chup chaap sabki baatein
sun rahi thi usne Ronit ke sawal par apni baat kahi
Ronit:- yaar ye toh main bhi janta hun ki iske dimag me kuch na kuch solution pak hi gaya
hoga main toh bas aane wale situiation ke bare me bata raha tha yaar bata naa Anjali ko
ghar walon ke saamne kaise lekar jayenge?

Main:- tum sabke puche gaye har sawal ka jawab maine diya hai iska bhi dunga par pehle
uss sawal ka jawab toh de dun jo ab tak Anju ne pucha hi nahi wo sawal jo uske mann
main tabse hai jab se wo Shadow World me fasi thi wo sawal jo ab bhi usse lagatar andar
se bechain kiye hue hai par fir bhi wo uss sawal ko puchne ki himmat nahi kar paa rahi hai
meri baat sun sabhi firse chonke unhe samjh nahi aaya tha ki main kis sawal ke bare me
baat kar raha aur pata karne ka ek hi tarika tha issliye

Ronit:- Anju ye Vj kya bol raha hai? koi sawal hai jo tujhe pareshan kiye jaa raha hai aur
tune fir bhi ab tak pucha nahi? Ronit ke puchne par bhi Anjali ne kuch nahi kaha par uski
palken zaroor bhig gayi thi aur wo un bheegi palkon se mujhe dekh rahi thi maano keh
rahi ho ki jab pata hi hai toh bata de naa?

Main:- kuch baatein kahi nahi jati Ronit samjhi jati hai meri baat naa samjh Ronit aankhon
me sawal liye mujhe dekh raha tha

Main:- teri apni gf ke liye aur meri apni dost ke liye taklif se badhkar bhi ek taklif hai Ronit
jo Anjali se judi hui hai ek maa aur pitah ki apni bacchi se alag hone ki taklif zindagi bhar
apni ek louti bacchi ke bina zindagi guzarne ki taklif andar hi andar uss gum ko paalte hue
muskurate rehne ki taklif dusro ke bachhon ke birthdays par apno bacchi ke birthday
celebration ko yaad karne ki taklif aur Anjali apne mom dad ke ussi taklif ke bare me
puchne se dar rahi hai wo un dono ke bare me janane ke liye tadap rahi hai par wo janti
hai ki uske bina uske mom dad ka kya haal ho raha hoga aur iissliye ek sawal uske honton
par aakar baar baar palat jaa raha hai aur wo ye ki

Anjali:- mom dad kaise hain? chalakti aankhon se Anjali ne apne honton par ruke hue
sawal ko bahar nikal hum sabke saamne rakha maatra chaar aksharon ke samouh se bana
hua ek simple sa sawal par fir bhi aisa laga jaise in chaar aksharon ko apne zubaan se
bahar nikalne ke liye Anjali ne apni puri shakti laga di thi barasti hui aankhen larazte hue
honth chehre par jhalkata dardpure sharir me halki halki kampan aur uss kampan ko aur
asahaniya banati hui uski bechaini kisi ke bhi dil me tees pahunchane ke liye kafi thi Ronit
jhat se aage badha aur usne Anjali ko apni baahon me chhupa sa liya Anjali bhi uski baahon
me simat si gayi par aankhen uski ab bhi mere taraf hi thi wo janti thi ki jawab usse main
hi dunga aur issliye
Main:- khud hi dekh le mere aisa bolte hi hum sabke saamne hawa me ek baar firse ek
naya chalchitra chalne laga is baar usme Anjali ke jane ke baad hamare ghar ke haalat ke
drishya chalne wale the uss film ke shuru hote hi Anjali Ronit ki baahon se nikal sidhi khade
ho un drishyon ko mehsoos karne lagi Anjali ke mrith sharir (Clone) ko apne aankhon ke
saamne dekh jab uske mom dad Akash uncle aur Neha aunty ki dil cheerne wali rudaan
hum sabke aur khaas kar Anjali ke kaano me padi toh uss rudaan ka asar hum sab par aur
khaas kar Anjali par bhi hua yaha tak ki saare samay sanchalak jo ki jeeven maran ke
chakra ke bandhan se mukt hainwo bhi iss dard se achhute naa reh paye jaise jaise scenes
aage badhte gayeAnjali ki aankhon se behti ashruon ki dhaara ka bahaav bhi badhta gaya
Ronit Anjali ko console karne me liye aage badhne wala hi tha par tabhi maine usse mann
hi mann aisa karne se mana kar diya itne samay tak apne mom dad ke haalat ke bare me
soch soch kar jo ek kism ka dar Anjali ke mann main bas sa gaya thauska in aansuon ke
saath bahar nikal jana zaroori tha issliye hi maine Anjali ko ye scenes dikhaye the taaki jab
Anjali apne mom dad ke saamne aaye tab unhe apne saamne dekh panic naa houska
dimag stable ho chuka ho saare scenes chalne ke baad wo picture gaayab ho gayi Anjali
ab bhi halka halka subak rahi thi par ye bas kuch der tak hi hua Anjali ka bura waqt khatam
ho chuka tha aur saath hi uske mom dad ka bhi iss khayal ke mann main ghar karte hi
Anjali ka mann shaant hone laga aur kuch hi der me wo back to normal thi

Main:- all good mere sawal par Anjali ne haan me sar hilaya

Main:- hmm Ronit gharpar Anju ke zinda hone ke bare me kya kahege iska jawab ye raha
ye bol ke maine apne right ki taraf haath kiya aur mere aisa karte hi mere haathon se ek
roshni nikli aur uss roshni se ek aakruti banane lagi aur jaise hi uss aakruti ne roop lliyatoh
mere sabhi doston ke mouh se ek saath nikla Madoxxx

Main:- arre Clone hai uska

Ronit:- par iska hum kare ge kya?

Main:- wahi jo Asmodeus ne Anjali ka kiya tha

Ronit:- bhai kuch samjh me aaye kuch aisa bol

Main:- simple hai yaar jaise Asmodeus ne Anjali ke Clone ko use kar Anjali ko mara dikhaya
thek waise hi hum bhi Madox pe saara ilzam daal Anju ka zinda hona justify karege

Anjali:- kaise? aur Madox hi kyu?


Main:- tere kaise aur kyu ka jawab ek hi hai tum sabko yaad hoga ki last baar hamare ghar
walon ke ke hisaab se hamari aakhri ladhayi kisse hui thi

Anjali:- ghar walon ke hissab se hamari last ladhayi arre haan wo toh Madox se hi hui thi

Main:- exactly jab Ronit hospital me admit tha aur main gayab tha aur jab main wapas
aaya tha tab maine dad ko aur sabko bataya tha ki Madox ne hi Ronit ko gaayab kiya tha
aur saath hi usne mujhe bhi injured kiya tha dad usse khojne nikalne wale the par maine
uss waqt unhe rok liya tha par baad me dad ne Madox ko khojne ki koshish ki thi par
Madox earth par tha hi nahi toh wo dhundhate kaise? usse toh humne Gluto me maara
tha in short Madox ki identity ab bhi missing hai hum bas ghar jaakar ye kahege ki Madox
ne hi Anjali ko gaayab kiya tha aur uski jagah ek dusri ladki jiski kad kaathi Anju ke jaisi hi
thi aur wo mar chuki thi usse Anju ki jagah usne implant kar diya tha story ko aur strong
banane ke liye hume bas ye batana hoga ki main jo ghar chhodkar gaya tha wo bhi issliye
hi gaya tha kyu ki main jaan gaya tha ki Madox Delhi me hi kahi hai aur Anjali uske paas
hai maine kuch khaas bande waha lagaye hue the jo Madox ko dhund nikalen aur finally
mere bando ne Madox ko khoj hi nikala aur usse Anju ko chupaye jagah ka pata bhi
nikalwa liya par Anju aur Madox ke louethe waqt Madox ke logon ne mere logon par
hamla kar diya mouka dekh Madox bhaagne ko hua par tabhi mere logon ne usse goli
maar di apne boss ko marta dekh Madox ke aadmi bhaag gaye aur mere bande Anju ko
wapas le aaye simple

Ronit:- yaar kahani toh thek hai par 1.5 saal tak Anju ko Madox ne zinda kyu rakha iss bare
me kya kahege?

Main:- yahi ki Madox Anju se shayadi karna chahta tha taaki uski aur uske saath saath
hum dono ki properties par bhi kabza kar sake par wo chahta tha ki Anju iske liye khud
ready ho Madox janta tha ki aisa hone par hi wo apne maksad me kaamiyab ho sakta hai
wo ye bhi janta tha ki agar usne zor zabardasti se Anju se shayadi bhi kar ki toh usse kuch
haasil nahi hoga mere dad itne strong aur powerful hain ki wo uss shayadi ko amaanya
dikha Madox ko jaan se maar denge aise me sirf Anjali ki khud ki marzi se usse ki hui
shayadi hi uske plan ko successful bana sakti hai Madox ne socha ki zabardasti hi sahipar
apne paas rakh apni achayi wale roop ko dikha wo Anju ke mann main apne liye pyaar
paida kar dega par aisa hua nahi tab usne Anju se kaha ki jab tak wo usse shayadi karne
ke liye raazi nahi ho jati tab tak wo usse kaid karke rakhega usne Anju ko ek sunsaan jagah
par andhere me 24/7 kaid karke rakha taaki uss indirect torture se tang aakar Anju uski
baat maan jaye par aisa hua nahi aur jaisa ki maine bataya mere bando ne finally Anju ko
dhund liya

Ronit:- haan yaar ye angle sahi hai

Main:- pata hai ab chalenhum sab already late ho chuke hain jo scene ghar par hone wala
hai usse aur impactful banane ke liye maine hum sab ke Clones ko 12 ghante pehle gaayab
kar diya hai

Ronit:- abbe fir toh ghar par sabhi tension me honge

Main:- tension ke baad khushi bhi toh milne wali hai toh ab late naa karte hue nikalte hain
hamare jaate hi aap sab apna kaam firse shuru kar dijiyega aur main aapke grah ke bahar
ek shield bana dunga jiske baad koi bhi black energy ka dharak aapke grah ke aas paas tak
nahi aa payega meri baat sun sabhi sanchalakon ne bas apne apne haath jod liye maine
ek baar muskurakar sabko dekha aur agle hi pal main Avantika aur mere sabhi dost gayab
ho chuke the hum sab sabse pehle Yeluptus ke orbit ke bahar prakat hue jahan maine
apne kahe mutabik ek behad hi strong shield bana di iss kaam ko khatam kar hum sab ek
baar firse gaayab ho chuke the

Planet: Earth Place: Neha Mansion

driver jaldi se gaadi nikalo Neha (Anjali ki mom) ki baat sun driver turant car nikalne
garage ki taraf badh gaya jab se Anjali guzri hai (as been shown) tabhi se uski mom Neha
ke aankhon me hamesha se hi ek udaasi rahi hai par aaj un udaas aakhon me udaasi ke
saath saath bechaini bhi thi reason kuch der pehle hi Vikram ki mom Minu ka phone aaya
tha ki Vikram aur Ronit subah se hi kahi gaye hue hain aur abhi tak nahi loute jaisa ki
maine bataya tha ki Vikram aur Ronit bhi Neha ke liye apne sage bache se kam nahi hain
toh aise me tension toh hogi hi Vikram ki mom ka phone aate hi Neha jo ki Anjali ki taswir
ke aage khadi apni beti ko nihar rahi thi wo turant apne anant saagar roopi dard se bahar
aayi aur driver se car nikalne ke liye kaha Anjali ki mom bahar ki taraf jane hi wali thi ki
kahi jaa rahe hain aunty? Minu aunty ke kaano me ye awaaz takrayi jise sun wo shocked
ho gayi reason ye awaaz ussiki thi jiski fikar me wo uske ghar jaa rahi thi matlab meri aunty
ne jhat se darwaze ki taraf dekha jahan se main aur Ronit andar aa rahe the hume sahi
salamat apne saamne dekh aunty relaxed bhi hui aur saath saath naraz bhi aur issliye

A/Mom:- Vicky Ronit kaha the tum dono subah se? agar late tak bahar rehne ka plan tha
toh kamse kam inform toh kar dena chahiye tha lekin nahi naa call na hi koi msg yaha tak
ki tum dono ke phone bhi band hain tum dono ko idea bhi hai ki tum dono ki moms kitni
pareshan the hum sab kitne pareshan the lekin tumhe isse kya? jab khud ek parent
banoge naa tab pata chalega ki jab wo bacha jise apne khun se seench kar maa baap bada
karte hainwo jab yun achanak gayab ho jata haichhodkar chala jata hai toh kaisa lagta hai?
aakhri baat kehte kehte Neha aunty ka gala roondh sa gaya tha aur wajah bhi waajib thi
kyu ki daant bhale hi wo hum dono ko rahi thi par un daant bhari baaton me zikr unki
eklouti beti ka tha dard uss beti ke chale jane ka tha

Main:- sorry aunty aage se hum iss baat ka dhayan rakhenge ki hum teeno me se kisi ki
bhi wajah se aapme se kisi ko bhi koi taklif naa pahunche meri baat par aunty ke aankon
me sawal dikhne laga tha mere teeno kehne ka matlab unhe samjh nahi aaya tha wo kuch
kehti usse pehle

Driver:- madam car porch par khadi hai

Main:- uski ab zaroorat nahi hai gaadi wapas garrage me park kar dijiye hum teeno ke
ghar ka har member teeno ke hi ghar ke malik ka darja rakhta tha aur hum teeno ke ghar
me kaam karne wala har banda ye baat janta tha isiiliye mere kehte hi driver wapas gaadi
garrage me park karne chala gaya wahi jaise hi driver aaya tha aunty ke dimag me click
kiya ki wo kaha aur kyu jaa rahi thi issliye unhone turant apna mobile nikala aur wo mom
ko call karne hi wali thi ki

Main:- kisse call kar rahi hai aunty?

A/Mom:- teri aur Ronit ki mom ko unhe bata deti hun ki tum dono yahi ho

Main:- uski zaroorat nahi hai aunty maine yaha aane se just pehle sabko already call kar
diya hai aur sab yahi aa rahe hain darasal baat ye thi ki Anjali ke ghar aane se just pehle
hi maine apni shakti se ek saath apne aur Ronit ke mom dad ko call karke yaha bula liya
tha aur saath hi Akash uncle ko bhi turant aane ko keh diya tha

A/Mom:- yahi aa rahe hain matlab

Main:- aap aaram se baithi ye sabke aane ke baad sab pata chal jayega ye bol maine aunty
ko sofe par bitha diya anuty ke hi baaju me Ronit bhi baith chuka tha wahi main chalta
hua Anjali ki photo ke saamne jaakar khada ho gaya meri koi bhi baat aunty ko samjh me
nahi aayi thi par phir bhi wo chup chaap baithi hui thi jaisa ki aap sabko pata hai ki hum
teeno ke ghar aas paas hi hai issliye meri aur Ronit ki mom jaldi hi yaha pahunch chuki thi

Mom:- Vicky
R/Mom:- Ronit meri aur Ronit ki mom ne aate hi hum dono ek naam pukare bhale hi
maine mom ko aur aunty ko bata diya tha ki main aur Ronit safe hai par fir bhi mom toh
mom hi hoti hai hum dono ko apni aankhon se apne saamne dekhne ke baad hi hum dono
ki moms ki nervousness khatam hui main bhi chalta hua mom ke paas pahunch gaya hum
dono ko hi hamari moms ne gale se laga liya

Mom:- kaha the tum dono subah se? koi call tak nahi kiya tum dono ne upar se tum dono
ke phone bhi band aa rahe the?

Main:- sorry mom wo bohat important kaam tha issliye jana pada

R/Mom:- arre beta jane ke liye kisne roka hai? par kamse kam tum dono ko hume inform
toh karna chahiye naa

Main:- sorry aunty wo kaam hi itna important tha ki dhayan hi nahi raha but next time
dhayan rakhenge

Mom:- aisa kya kaam pad gaya beta?

Main:- wo mom Ronit ne ek ladki pasand ki hai toh usse hi milne gaye the meri baat sun
mom aur dono aunties ko shock laga meri baat sunte hi teeno ko Anjali ki yaad aa gayi thi
unhe samjh me nahi aa raha tha ki wo Ronit ke liye khush ho ya Anjali ke liye sad bhale hi
unke hissab se Anjali ab hamare beech nahi thi par un sabne Anjali ko hi Ronit ki future
wife maan liya tha aise me jab in teeno ko pata chal raha tha ki koi aur hai jo Anjali ki jagah
leni wali haitoh teeno hi udaas si ho gayi thi par taajub ki baat ye thi ki hum teeno ki moms
me sabse pehle normal Anjali ki mom hui

A/Mom:- arre waah aakhir kaar mera beta mere liye bahu laa raha hai ye bol aunty ne
Ronit ka maatha chum liya wahi aunty ki baat sun Ronit ka bhi dil bharr aaya tha wo bhi
janta tha ki Anjali ki mom ko bhi meri baat sunkar taklif hui hai par sirf Ronit ke khushi ki
khaatir apna gum daba wo khushi jata rahi hai

Main:- kya hua? kya aap dono khush nahi hain? Anjali ki mom ka reaction aur fir meri baat
sun meri aur Ronit ko mom ko bhi laga ki unhe udaas nahi hona chahiye balki khush hona
chahiye ki Ronit life me aage badh raha hai aur issliye

Dono:- kyu khush nahi honge? humare bete ne hamare liye bahu dhund li hai isse badi
khush khabari hum sabke liye aur kya ho sakti hai? khush khabari kaisi khush khabari?
abhi humme se koi kehta isse pehle hi ye awaaz hum sab ke kaan me padi jo ki mere dad
ki thi jo Akash uncle aur Harpreet uncle ke saath hamare paas aa rahe the
Mom:- Ronit ne hum sabke liye bahu dhund li hai mom ki baat sun dad aur dono uncles
ke chehre ka muskurata expresion ekdum hang sa ho gaya teeno ko hi samjh me nahi
aaya ki wo kaise react kare? jo feelings hum teeno ki moms ki thi wahi hamare dad ke dil
me bhi chalne laga tha par Neha aunty ki hi tarah Akash uncle ne bhi sabse pehle Ronit ko
badahayi di aur unko follow karte hue dad aur Harpreet uncle ne

Dad:- arre par ye toh batao ki ladki hai kaun taaki hum sab jayeusse mile aur turant saari
baat pakki kar len

Main:- ladki yahi Mumbai se hai dad aur aap usse bohat ache se jante hai infact aap sab
usse bohat ache se jante ho aur pyar bhi bohat karte ho meri baat sun ek baar firse sabhi
shocked ho gaye

Mom:- hum sabhi jante hain aur pyaar bhi karte hain kiski baat kar raha hai?

Main:- batata hun par usse pehle ek kaam toh kar lun ye bol main wapas muda aur ek
baar firse jaakar Anjali ki photo ke paas pahuncha jispar maala chadhi hui thi aur agle hi
pal

A/Mom:- Vicky mera naam lekar Anjali ki mom zor se cheekhte hue tezi se aage badhi aur
agle hi pal chataakk ek zor ka tamacha mere gaalon par apni mohar laga gaya par mujhe
tamacha maarne ke baad Neha aunty ke chehre par vismay ke bhaav ubhre reason
thappad khaane ke baad mere chehre par ek smile aa gayi thi jise dekh Neha aunty aur
unke saath hum teeno ke parents bhi shock hue the toh hua ye tha ki Anjali ki pic ke paas
pahunch maine auski tasvir par chadhi maala ko nikal fek diya jis wajah se sab gharwale
shock aur Neha aunty shock ke saath saath naraz bhi ho gayi thi

Mom:- Vicky ye kya harkat hai? tune Anju ki tasvir se maala kyu nikali?

Main:- us maala ka iss tasvir par koi kaam nahi meri baat kisi ke bhi palle nahi padi thi aur
issliye

Mom:- ye tu kya bole jaa raha hai?

Main:- wahi jo aap sun rahi hai mom aaj ke baad Anju ki taswir par koi maala nahi chadhegi
jahan mujhpar haath uthane ke baad Neha aunty roye jaa rahi thi wahi mere baaki sabhi
ghar walon ko toh kuch samjh me hi nahi aa raha tha par in sab ke beech mere dad jante
the ki main kuch bhi yunhi nahi karunga aur khaas kar tab jab baat Anjali ki ho issliye

Dad:- asli baat kya hai Vicky? dad ki baat sun main pehle muskuraya aur fir
Main:- dad Ronit jis ladki ko chahta hai wo nahi chahti ki Anjali ki pic par koi haar chadhe
meri baat sun sabhi bohat shocked hue aur khaas kar Neha aunty aur Akash uncle dono
hi nahi samjh paa rahe the ki jis ladki se Ronit pyaar karta haiusse unki mari hui beti ke
tasvir par chadhe haar se kya taklif ho sakti hai aur issliye

Akash uncle:- beta tu ye kya bol raha hai? bhala usse hamari beti ki tasvir par haar
chadhane se kyu problem hone lagi

Main:- ye aap usse hi puch lijiye sabko laga ki main mobile par call lagakar puchne ke liye
keh raha hun issliye

Akash uncle:- call laga baat kara

Main:- uski zaroorat nahi hai uncle wo yahi hai aap usse saamne se puch lijiye meri baat
sun sabhi chonke

Dad:- yahi hai par kahan?

Main:- andar aa jaa Anjali mere andar aa jaa kehne par sabhi piche palte par jaise hi mere
mouh se halka sa ruk kar Anjali nikla toh sabke chehre wapas meri taraf ghum gaye sabko
samjh me hi nahi aa raha tha ki main kis Anjali ki baat kar raha hun wahi Anjali jo ab tak
hall ke dusri taraf invisible hokar khadi thi mere pukarte hi wo jhat se visible hui aur agle
hi pal bahari darwaze ke piche se apne kadam aage badha wo bahar nikli aur hall ke
entrance ke beech me khadi hui wahi mere mouh se Anjali sunne ke baad sabhi mujhe hi
dekhe jaa rahe the par jaise hi Anjali hall ke entrace par aayi toh

Main:- piche paltiye meri baat sun jaise hi sabhi piche palte toh jhatka avishwas sthbadh
dard khushi adheerta ye saare expressions aur feelings paida hote chale gaye hum teeno
ke parents ke chehre aur dilo dimag par Anjali hum sab ke saamne thi par abhi tak koi bhi
apni jagah se hila tak nahi tha ek statue ki tarah sabhi Anjali ko dekhe jaa rahe the unhe
lag hi nahi raha tha maano Anjali unke saamne hai sabko yahi mehsoos ho raha tha ki ye
koi khubsoorat sapna hai aur agar wo hile bhi toh ye sapna toot jayega wahi Anjali bhi
itne time baad apne mom dad aur baaki sabko dekh aankhon me paani liye chup chaap
khadi hui thi ab iss situation ko aage toh badhana hi tha issliye main aage badh Neha aunty
aur Akash uncle ke paas pahuncha aur

Main:- yahi hai wo ladki jise Ronit ne pasand kiya hai aapki beti jo zinda hai ab aap hi
batayiye ki ek zinda ladki apne tasvir par maala kaise tangi dekh sakti hai aankhon me ab
bhi avishwas ke aansu liye Neha aunty aur Akash uncle mujhe dekhne lage
Main:- ye koi jhoot ya koi trick nahi hai uncle trick wo tha jo aap sabko dikhaya gaya tha
jis Anjali ki body ko aap sabne dekha tha aur jalaya tha wo bas ek duplicate thi aur jo aapke
saamne khadi haiwo original hai matlab aapki beti hai meri baat sun waha khade hum
teeno ke parents ke dimag me maano ek dhamaka sa hua sabhi shocked hokar mujhe
dekh hi rahe the ki

Anjali:- mom dad wo do naam jo pure bramhaand ka saaransh hainwo hum sabke aur
khaas kar Neha aunty aur Akash uncle ke kaano me pada jise sun un dono ke dilon me
pade sukhe par baarish ho gayi ab tak shock se jad hue un dono ke pair maano ek jhatke
me khul gaye aur wo dono apni beti ki taraf bhaage kuch hi seconds me Neha aunty aur
Akash uncle Anjali ke saamne the ek tak kuch pal apni beti ko niharne ya fir ye kahu ki
confirm karne ke baad ki Anjali sach me unke saamne hi haiNeha aunty aage badhi aur
agle hi pal unhone apni beti ko apni baahon me samet liya tha Neha aunty ne Anjali ko
itne zor se apne me chupa sa liya tha maano wo usse puri duniya se chhupa kar apne paas
hifazat se rakh lena chahti ho wahi Akash uncle bas apni beti ko bin aawaz neer bahate
hue dekhe jaa rahe the aansu toh mere sabhi ghar walon ke aankhon me bhi the wo sabhi
Neha aunty aur Akash uncle ke piche khade ho gaye the wahi Anjali ko maine pehle hi
apni mom dad aur baaki ghar walon ki har taklif se roobaroo karwa diya tha issliye wo
sayyam me thi jo aise haalat me zaroori tha kafi der baad bhi jab aunty ka rona khatam
nahi hua toh

Anjali:- mom please royiye mat aap ko toh khush hona chahiye ki main wapas aa gayi hun
I promise ki ab aapko chhodkar kahi nahi jaaungi Anjali ki baat sunne ke baad bhi Neha
aunty kuch der tak yunhi roti rahi par fir dheere dheere unka rona subakne me badalne
laga aur fir kuch der baad jab unka saara dard khatam hua toh wo apni beti se alag hui
Neha aunty ke alag hote hi Anjali apne dad ke gale lag gayi dard toh Akash uncle ka bhi
aunty jitna hi tha ya fir ye kahu ki unse bhi zyada tha par unhone khud ko control karke
rakha hua tha rokar wo apni beti ko nahi rulana chahte the bas unke mouh se ek hi
sentence nikla aur wo ye ki

Akash uncle:- dobara hume chhodkar mat jana bacha bas itna hi kaha Akash uncle ne apni
ladkhadati hui zubaan se par itna hi kafi tha unka pyaar aur dar dono dikh gaya unki baat
se kuch der tak apne dad ke gale lagne ke baad Anjali unse alag hokar mere dad ke gale
lag gayi akhir mere dad ki sabse laadli Anjali hi thi uski zidh ke aage meri aur Ronit dono
ki baat nahi chalti thi dad se alag hokar Anjali mom ke paas gayi aur uske baad ek ke baad
sabse mili jahan ek taraf sabko abhi bhi vishwas nahi ho raha tha ki unki bachi zinda hai
aur unke saamne hai wahi dad ke dimag me meri kahi baat chal rahi thi aur jaise hi Anjali
se sabka milna pura hua

Dad:- Vicky tu kya bol raha tha ki jo hume dikhaya gaya tha wo jhoot tha jo body Anju ki
humne jalayi thi wo duplicate thi dad ki baat sun sabhi ke dimag ki ghanti baji aur sabhi
meri taraf dekhne lage aur fir maine Ronit ne aur Anjali ne sabko wahi kahani sunayi jo
maine Yeluptus me banayi thi Anjali aur Ronit ki dramatic acting ne meri kahani ko aur
sacha bana diya tha par meri story sun mere gharwalon ka dimag ghum gaya tha wahi ye
jaankar ki main shuru se hi Anjali ko khojne me laga hua tha mom aur dono aunties khush
ho gaye the jaise hi meri story khatam hui dad aur dono uncle bahar nikalne ko hue par
tabhi

Main:- dad Madox ab nahi raha aur uske baaki ke gharwale bhi mar chuke hain so relax
bas aap itna dekh lijiyega ki agar kabhi Madox ki body mile toh hamara naam nahi aaye

Dad:- uski tension mat le kuch nahi hoga man hi mann muskurate hue maine dad ko
thanks kaha

Harpreet:- yaar hamari beti hume wapas mil gayi hai party toh honi chahiye aur media ko
bhi toh handle karna hoga unse kya kahege?

Dad:- wahi kahege jo hua hai bas uss Madox ke chapter ko chuppana hai aur uski jagah
kuch naya add karna hai

Anjali:- papa party nahi kare ge isse acha hum sabhi kahi ghumkar aa jayenge

Dad:- ye bhi sahi hai toh fir done kaha jana hai iska kal tak plan kar lo to ya 3 din me nikalte
hain ab tak Neha aunty chup thi par dad ke bolne ke baad

Neha aunty:- Vicky beta

Main:- aunty please sorry mat kahiyega aur waise bhi aapne mujhe thappad nahi maara
tha balki as punishment maine thappad khaaya tha punishment ki maine Anju ko aapke
paas lane me itne deri kar di saza ki aap sabko itne time tak Anju ko mara samjhkar
tadapte hue jeena pada maine Neha aunty ki baat kaatkar aapne baat kahi jise sun unhone
mera maatha chum liya hum sab jante the ki abhi Neha aunty aur Akash uncle ko apni beti
se dher saari baat kari hogi aur upar se raat bhi kafi ho chuki thi issliye hum sab apne apne
ghar nikal gaye ghar pahunch jab mom ne Anjali ke zinda hone ki khabar nana ji naanji ji
Mama ji aur maami ji ko sunayi toh pehle toh baakiyon ki hi tarah sabhi ko zor ka jhatka
laga par sabhi bohat zyada khush bhi ho gaye Anjali ko dhund kar lane ke liye sabne mujhe
aashirwaad diya sabhi ko gn wish kar main apne room me chala gaya subah se ab tak
maine sabhi ko jhatke par jhatke diye the par ab ek jhatka mera bhi intezar kar raha tha

In my room:

abbe saali ye hai kya chiz jo meri pakad me nahi aa rahi hai? room pahunch fresh ho main
dhayan me baith kuch pata lagane ki koshish karne laga par kafi der tak koshish karne ke
baad bhi jab main successful nahi ho paya toh maine apni aankhen khol ye baat budbudayi
darasal baat ye thi ki subah se hi mujhe apne andar ek ajeeb si bechaini mehsoos ho rahi
thi jiska main reason nahi jaan paa raha tha normally jab mujhe uss bechaini ka matlab
samjh me nahi aaya tab maine ghar pahunch dhayan me uske bare me pata lagane ki sochi
par iss koshish me bhi main fail hua

Main:- (mann main) saala ab ye kya naya chakkar hai? kaise pata lagaun? maine khudse
ye baat kahi hi thi ki tabhi mere seene ke beech vibrations hone lagi jise mehsoos kar main
shocked ho gaya reason mujhe pata tha ki ye vibration kyu ho rahi hai aur issliye mere
mouh se nikla

Main:- bhavishyavaani maine seene pe haath rakh bhavishvaani ko bahar aane ki anumati
di ek tez prakash ke beech me bhavishwaani bahar aayi par saath hi mere liye ek naya
jhatka lekar aayi aur wo aise ki mere andar kul teen bhavishyavaaniyan thi mujhe laga tha
ki mere anumati dene ke baad koi ek bhavishyavaani bahar aayegi par yaha toh mere
samane teeno bhavishyavaani jo ki charre ke roop me theek saath hawa me ruke hue the
hairani ki baat ek aur thi bhavishwaani numa un teeno charron ke beech me kuch likha
hua tha jo ki abhi tak kabhi nahi hua tha darasal teeno chanakte charton me beech me
unke kram likhe hue the par sirf beech wale charre me hi normal number tha baaki left
end aur right end wale charre me ek nahi balki ek hi tarah se do do numbers likhe hue the
nahi samjhe chaliye samjhata hun beech wale charre me to likha hua tha par uske right
aur left wale dono hi charron me ek ya 3 aisa likha hua tha par main iska matlab samjh
chuka tha mujhe left end ya fir right end wale charron me se kisi ek charre matlab
bhavishvaani ko chunana tha dono me se jise bhi main chunta wo pehla ho jata aur jise
nahi chunta wo teesra ho jata ab mujhe pata toh tha hi nahi ki kis charre me kya
bhavishyawani hai issliye maine mann hi mann left end wale charre ko chuna aur mere
chunaav karte hi do cheezen hui pehli cheez toh expected thi par dusri ne mujhe firse ek
jhatka diya chaliye pehle expected yaani pehli cheez ke bare me bata deta hun toh mere
chunaav karte hi left wale charre par jo ek ya 3 likha tha usse 3 mit gaya aur right waape
charre par se ek meet gaya aur dusri cheez jo hui aur jo unexpected thi wo ye thi ki un do
charro ke upar jinme ek aur 3 likha hua tha ab unpar aur bhi kuch likha gaya jise padh
mujhe jhatka laga tha main iss bare me soch hi raha tha ki tabhi wo charre chamakne lage
jiska matlab tha ki filhal unka kaam khatam hua aur ab wo mere andar jana chahte hain
mere ijazat dete hi teeno charre roopi bhavishvaani mere seene ke andar chali gayi aur
main un do charron ke upar jo likha tha unke bare me apne bed par letkar sochne laga

Main:- kya matlab ho sakta hai 1st aur 3rd bhavishyavani ka ye bol main un dono
bhavishvaniyon ke upar jo likha tha usse dohraane laga

1st bhavishyavani: Angels Sacrifice 3rd: bhavishyavani: Devils Demolition

Planet: Vrihakh Place: Mountains top

arre ye kaisi maaya hai? naa toh dikh rahi hai naa hi samjh me aa rahi hai bas ek ehsaas
hai aur wo bhi kitna nakaratmak? par kya? samjh toh mujhe bhi nahi aa raha hai Shaila?
aakhir aisi kaun si nakaratmak urja haijise hum teeno mehsoos toh kar paa rahe hainkintu
samjh bilkul bhi nahi paa rahe hain haan Mokalsar aur ye koi choti baat nahi hai zaroor
koi nayi aur bohat badi aapada hamare charon taraf hai ek aisi aapada jise agar jaldi se
mitaya nahi gaya toh bohat galat ho jayega kintu hum kar bhi kya sakte hain Akshaant jis
aapada ko hum samjh hi nahi paa rahe usse ladenge kaise? Shaila Mokalsar aur Akshaant
teeno apne grah ke sabse bade aur ghane pahad ki choti par dhayan me baithe the waise
toh dhayan me baithnaye in teeno ne bachpan me hi shuru kar diya tha aur ab jab ye
teeno angels ki shakti rakhte thetoh apni apni shakti ko aur badhane ke liye in teeno ka
dhayan me baithna anivaarya tha par abhi in teeno ke dhayan me baithne ka reason kuch
alag aur zyada important tha darasal baat ye thi ki pichle kuch ghanton se in teeno ko
pure bramhaand me ek negative energy ki cover ka ehsaas hua tha aur ye feeling bohat
strong thi jiske mehsoos hote hi in teeno ke mann vichlit se ho gaye aur inhone turant uss
negative energy ke cover ke bare me pata lagane ki sochi aur issi maksad ko pura karne
ke liye teeno dhayan me baithe the par lagatar to ghante tak dhayan me rehne ke
baawajud bhi teeno ko kuch pata nahi chala par ek baat zaroor hui aur wo ye ki jis negative
enegry ko ye talash rahe the waqt ke sath saath inhe uska ehsaas aur asar badhta hua sa
mehsoos hone laga jaise aasman me baarish hone se pehle ghanghor baadal dheere
dheere aasaman ko gherte jaate hainthek waise hi inhe uss negative energy ki shakti ke
daayre ke badhne ka ehsaas ho raha tha teeno ek dusre se iss bare me lagatar baat kar
solution ke liye naye naye ideas soch rahe thepar unhe kuch samjh me nahi aa raha tha
aur jab ye prayas kar karke haar gaye toh

Shaila:- ab hume Vikram hi iss bare me kuch bata sakta hai


Akshaant:- haan aur waise bhi usne toh iss negative energy ko hum sabse pehle hi feel kar
liya hoga

Mokalsar:- feel kya ab tak toh usne iska solution bhi nikal liya hoga

Shaila:- toh fir der kis baat ki turant Vikram ke paas chalte hain Shaila ki baat par Mokalsar
aur Akshaant ne sehmati dete hue gardan hilayi aur agle hi pal teeno gayab ho chuke the

Planet: Warriors World Place: Cloud Cover

ye kaisi anishtatha ka abhaas mere hriday avum mastishkh me ho raha hai itni ajeeb aur
nirjeev bhaavna ka janm toh mere andar tab bhi nahi hua tha jab Asmodeus ne mujhe
harakar mere grah ko apna gulam bana liya tha tab bhi mera mann itna vichlit nahi hua
tha jab Asmodeus ne mujhe uss viran grah me khoj mere mastishk ko apne kabze me kar
liya tha fir ye kaisa aabhas kaisi ashanti hai jo mere hriday ko ghere hue hai aur sabse badi
aur ajeeb baat toh ye hai ki main charon taraf faili iss ashanti ko mehsoos toh kar paa raha
hun kintu kaaran nahi jaan paa raha hun thek Mokalsar Shaila aur Akshaant ki hi tarah
Defender ko bhi kafi der se wahi manhusiyat wali feeling aa rahi thi usse aisa lag raha tha
maano uske aas paas har taraf kisi ne koi negative spell bola hai jis wajah se pure vaayu
mandal me koi invisible astra ne apna saamrajya sthaapit kar liya hai unhe bhi samjh nahi
aa raha tha ki ye achanak hua toh hua kya hai? apni baat keh ya fir ye kahu ki apni becahini
ki gaatha khud ko hi sunane ke baad Defender bhi dhayan mudra me baith gaye taaki iss
negetivity ka jo wo feel kar rahe the uska pata laga saken par

Defender:- ye kya ho raha hai? vaatarvaran me toh koi bhi dushit shakti ke aagman ka koi
bhi sanket mujhe nahi mila sab kuch waisa hi hai jaisa kal tak tha par fir mera mann kisi
anarth ke hone ka andesha kyu jata raha hai? aisa kya hai jo saamne hokar bhi adrishya
hai aur agar saamne hai toh fir dikh kyu nahi raha ab iss guthi ko suljhane ka bas ek hi
tarika hai Vikram jo main mehsoos kar raha hun usse toh sabse pehle lord ne hi mehsoos
kiya hoga mujhe shighr atti shighr unke paas jana chahiye taaki iss anbujhe paheli ka arth
unse jaan sakun apne nirnay par pahunch Defender bhi Vikram se milne ke liye
antardhayan ho gaye

Place: Heaven

St Cecilia kya aap bhi ji haan St Sebastian main bhi wahi mehsoos kar rahi hun jo aap kar
rahe hain St Alfrick aap ji St Cecilia main bhi jis nakaratmakta ko aap aur St Sebastian
mehsoos kar rahe hain ussi bhaavna ne mere andar bhi janm liya hai ek ke baad ek teeno
God's messengers ne apni apni baat kahi thek Mokalsar Shaila Akshaant aur Defender ki
hi tarah in teeno ko bhi ek negetivity ki diwal har taraf khadi hui mehsoos ho rahi thi par
wo bhi iska kaaran nahi jaan paa rahe the

St Sebastian:- ab sirf lord hi hain jo hume iss bare me kuch bata sakte hain hum teeno ko
turant unke samaksh pahunch jana chahiye

St Cecilia:- par saamne jane ki zaroorat hi kya hai? hum sab angels toh lord se jude hue hi
hain hum unse yahi se baat kar sakte hain

St Alfrick:- ye aap kya keh rahi hain Cecilia kya aap bhul rahi hain ki aap kiski baat kar rahi
hain agar lord chaahen toh humse kisi bhi tarah baat kar sakte hain par agar hum yunhi
apni shakti ka istemaal kar unse jude aur apni baat unke saamne rakhen toh ye unka
anadar hoga ye mat bhuliye ki hum unse hain wo humse nahi wo hum sabke lord hain kya
karna hai aur kaise karna hai iska faisla wo kare ge hum nahi hum bas unse nevedan kar
sakte hain apni jigyasa shaant karne ke liye unki ijazat lekar unse puch sakte hain par jo
bhi hum kare wo apni maryada me reh kar sahi tarike se kare toh bi behter hoga

St Sebastian:- aur waise bhi tumhe kya lagta hai ki lord ko wo sab mehsoos nahi hua jo
hum mehsoos kar rahe hain arre unhe toh ye bhi pata hoga ki hum abhi iss waqt kya baat
kar rahe hain? fir unse judkar unse baat karne ki zaroorat hi nahi hai par kyu ki hum angels
hain aur pure bramhand me aachai aur burayi ki shakti ke beech ka santulan banaye
rakhne ka kaam hume mila haiissliye jo nakaratmak shakti hum sab ko mehsoos ho rahi
haiuska raaz janane ke liye hume khud lord ke saamne upasthi th hona chahiye St Alfrick
aur St Sebastian ki baat sun St Cecilla ko apni galti ka ehsaas hua

St Cecilia:- aap dono bilkul sahi keh rahe hain maine jo sujhav diya thawo sarvatha anuchit
tha hum teeno ko khud lord ke saamne jaakar unse baat karni chahiye St Cecilia ki baat
ke baad teeno messengers antar dhayan hone hi wale the ki tabhi un teeno ke har taraf
tez roshniyan chamki aur agle hi pal bramhand ke saare angels uss roshni ke beech se
prakat hue prakat hote hi saare angels teeno messengers ke saamne sar jhukar khade ho
gaye wahi achanak saare angels ko apne saamne dekh teeno messengers shocked the

1st Angels:- messengers ek bohat hi ajeeb baat hai jise batane ke liye hum sab yaha aake
saamne upasthi th hue hain

St Cecilia:- hum wo baat jante hain hume bhi pure bramhaand me kisi nakaratmak shakti
ka abhaas ho raha hai

2nd Angel:- ji wo toh hai hi kintu ek aur baat hai darasal hum sabki jis white energy se black
energy sayammit rehti hai ab ussi black energy se hum sab ki white energy asayammit ho
rahi hai aisa lag raha hai jaise koi shakti hamare shakti ko har taraf faile rehne se rokne ki
koshish kar rahi hai

1st Angel:- aur wo jo bhi shakti hai wo bohat shaktishali hai hum usse naa toh dekh paa
rahe hain aur naahi samjh paa rahe hain hum sabki shakti bhi uss shakti ke aage kamzor
pratit ho rahi hai ab tak toh wo adrishya shakti thehri hui si lag rahi hai par agar kahi uss
shakti ne apna daayra badhane ki sochitoh wo zaroor hamari shakti ko sokh legi jiska
anjaam hoga

St Sebastian:- bramhaand ka vinaash St Sebastian ke mouh se ye shabd apne aap nikal


gaye jise sun sabhi vichlit ho gaye

St Alfrick:- ab hume aur intezar nahi karna chahiye hum sabko turant lord ke saamne
pahunch jana chahiye St Alfrick ki baat par sabhi ne haami bhari aur agle hi pal teeno
messengers aur unke saath saath sabhi angels antardhayan ho chuke the

Planet: Earth Place: Menakshi Mansion

good morning uncle good morning aunty hall me ek saath entry karte hue Anjali aur Ronit
ne mere dad aur mom ko wish kiya

Dad/Mom:- good morning beta dono ke wish dene ke baad dad ne Anjali ko apne paas
baitha liya

Mom:- main tum dono ke liye breakfast lagati hun

Anjali:- nahiii jaise hi mom ne breakfast ki baat kahi Anjali ke mouh se turant aur zor se ye
shabd nikle jise sun mom aur dad shocked ho gaye

Mom:- kya hua bacha tu aise kyu react kar rahi hai

Anjali:- aunty kal se lekar abhi ghar se nikalne tak mom aur dad mujhe bas kuch na kuch
khilate hi jaa rahe hain 12 ghanton me hi maine pure ek mahine ka khaana khaa liya hai
Anjali ki baat par Ronit mom dad teeno hans diye

Mom:- tu toh naashta karega naa?

Ronit:- nahi aunty aaj mujhe bhi mom ne thus thus kar breakfast karaya hai

Anjali:- uncle naanu nani maama maami kaha hain?

hum yaha hai beti isse pehle ki Anjali ke sawal par dad kuch jawab dete Anjali ke peeche
se ye awaaz aayi jise sun Anjali turant palti iss waqt Anjali ke theek peeche naanu nani
maama ji maami ji sab khade the aur sabhi ke aankhen paani se bhari hui thi par ye aansu
khushi ke the itne arse ke baad Anjali ko zinda dekhne ki khushi Anjali bhi turant uthi aur
bhaagte hue naanu ke paas pahunch gayi sar par apne aashirwaad ka haath rakhte hue
naanu ne bhi Anjali ko gale laga liya nanu ke baad Anjali nani maamu aur maami ji se bhi
mili Anjali ko apne saamne zinda dekh sabhi khushi se fule nahi sama rahe the kisi ko
vishwas hi nahi ho raha tha ki ye sach hai aur aisa feel karna bilkul obvious tha kisi ne
kabhi ummid nahi ki thi ki ye khushi unhe kabhi naseeb hogi kuch der ke liye maahoul kafi
emotional ho gaya tha par Anjali aisa nahi chahti thi issliye

Anjali:- arre ye toh batayiye ki mere golu molu Aashi aur Raj kaha hain? school gaye hain
kya?

Maami ji:- haan Anju wo dono school gaye hain parso se dono ke exams hain issliye leave
lena thek nahi tha

Anjali:- ohh

good morning uncle good morning aunty koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz hall me
gunj uthi jo aur kisi ki nahi balki meri jaan Avantika ki thi

Mom/Dad:- good morning Avni aao beta ek pyaari si smile ke saath Avantika aage badhi
par tabhi uski nazar right side par khade naanu nani maama maami aur unke baaju me
khade Ronit Anjali par padi Avantika turant naanu ki taraf badhi aur un tak pahunch naanu
nani ke pair chu liye wo maamaji aur maami ji ke bhi pair chune ko hui par dono ne bina
usse jhukne diye usse aashirwad de diya mom dad Avantika ke gesture karne ke tarike ko
dekh kar kafi impress hue the

Anjali:- hey babes

Ronit:- hey Avni

Avantika:- hey guyzz greet ka jawab de jaise hi Avantika ne Anjali aur uske baad Ronit ko
side hug kiya toh

Ronit:- apne in laws ko jitna zyada ho sake impress kar le taaki teri baat aage badhe

Avantika:- haha very funny Ronit ke mazak ka jawab de Avantika palti aur mere mom dad
ke paas pahunch jaise hi unke pair chhune ko hui

Dad:- arre bacha betiyan pair nahi chhua karti

Mom:- aao beta aap nashta kar lo


Avantika:- no aunty I am full

Mom:- tum sab aj kal ke bache mutthi bhar khaate nahi ki pet bhar jata hai pata nahi aage
kaise karoge?

Main:- thek hai mom kal se do mutthi khayenge khush mom ki baat ka sidhi utarte hue
maine jawab diya jise sun sabhi hans diye

Mom:- isse toh bas baat karwalo

Main:- aapko toh khush hona chahiye mom ki aapka beta aapse sikh raha hai kuch pal
lage par jab mom ko meri baat ka matlab samjh me aaya toh

Mom:- kya kaha badmash? tu mujhse baat karna sikhta hai matlab main bohat zyada bolti
hun ruk tu zara

Main:- arre mom mere kehne ka matlab tha ki meri mom bohat sweet bolti hai aur main
wahi sweetness sikh raha hun

Mom:- oye maa hun teri mere saamne baaton ko ghumane ki koshish naa kar mujhe sab
samjh me aata hai

Main:- wo toh aayega hi aakhir Vj ki mom jo ho thoda asar toh hoga hi

Mom:- kya bola tu? ye bol mom meri taraf badhi par main turant dad ke paas jaa unke
peeche khada ho gaya

Mom:- badmaash mujhe dad ke peeche chhupte dekh mom bhi haste hue wahi ruk gayi

Dad:- chalo ab tum sab milkar fatafat plan kar lo ki kaha jana hai? hum kal hi nikal jayenge

Anjali:- arre haan Vj tune hum dono ke parents ko kyu bulaya hai? Anjali ki baat sun uske
aur Ronit ke saath mere parents bhi mujhe sawal bhari aankhon se dekhne lage

Main:- ek minute ruk batata hun abhi maine apni baat kahi hi thi tabhi hall ke entrance se
Ronit aur Anjali ke parents enter hue ek dusre ko greet karne ke baad sabki nazar mujhpar
aakar tik gayi

Main:- dad uncles hum sab ghumne kahi nahi jaa rahe tour ka plan fir kabhi kar lenge meri
baat sun sabhi shocked ho gaye

Dad:- par kyu beta? koi khaas wajah?


Main:- hai naa dad aur wo bhi bohat important Ronit Anju mere aur tum dono ke dads ka
lagatar ek week tak London aur Japan ke clients ke saath meeting hai agar ye meeting
cancel hui toh dad aur uncles ke haath se billions ki deal nikal jayegi

Anjali:- whattt? dad itni badi deal line up hai aur aap sab ghumne jane ki baat kar rahe ho
jahan meri baat sun dad aur uncles shocked hue wahi Anjali ki baat sun

Dad:- beta deals toh hoti rehti hai par kaam tum teeno se zyada important toh nahi hai
naa tu hume wapas mili hai isse badi baat kya ho sakti hai is khushi ke mouke ko celebrate
karne se zyada aur kuch zaroori nahi hai dad ki baat sun Anjali aage badhi aur dad ke gale
lag gayi

Main:- dad bhale hi deal humse important naa ho par uss deal se jo hoga wo hum teeno
se bohat zyada important hai meri baat sun ek baar firse sabhi meri taraf sawal bhari
nazro se dekhne lage

Main:- jo deal ki baat ho rahi haius deal ke final hote hi jo bhi profit hoga dad aur uncles
ne uss profit ka 10 % donate karne ka ek clause rakha hai wo 10 % najane kitni hi besahara
zindagi ko ek naye disha me lejane ke kaam aane wala hai ab aap sab hi bataiye aise cause
ko agar sirf issliye rok diya jaye kyu ki hume celebrate karna hai toh kya ye sahi hai? meri
baat sun dad aur mom ka seena thoda aur ful gaya tha wahi mere aur Ronit aur Anjali ki
family bhi meri baat sun khush ho gayi thi

Anjali:- tour cancel uncleaap meri har wish dad se bhi pehle puri karte hain toh meri yahi
wish hai ki aap teeno ye deal kare bus mujhe yahi chahiye aur kuch nahi & thats final

Dad:- thek hai princess agar tum sab yahi chahte ho toh fir yahi hoga waise Vicky ek baat
bata hamari deal ki saari baatein tujhe kaise pata? dad ki baat sun mere saare frndz aur
Avantika andar hi andar hans diye ab jo sach tha wo toh keh nahi sakta tha issliye

Main:- dad bhale hi main aapka business filhal nahi samabhal raha par aapki saari files
main padhta rehta hun ussi se mujhe aapke iss hafte ki deal ke bare me pata chala aur aaj
morning me bhi aap apni secretary se saare meetings reshcedule karne ki baat kar rahe
the jo maine sun li thi meri baat sun dad aur unke saath saath sabhi muskura diye muskura
toh main aur mere saath saath Anjali aur Ronit bhi rahe the par hamari smile ka reason
kuch aur tha kya chaliye batata hun darasal jab main dad se baat kar raha tha tabhi mere
charon taraf kuch bohat strong shaktiyon ka abhaas hum teeno ko hua tha ye shaktiyan
aur koi nahi balki Akshaant Mokalsar Shaila the three Gods messenger aur angels the jo
adrishya awastha me hamare charon taraf khade hue the main janta tha ki ye sab yaha
kyu hain aur issliye

Main:- mom dad hum sab upar mere room jaa rahe hain

Mom:- thek hai tum sab jaao main tum sab ke liye coffee bhijwati hun

Main:- cool ye bol main aage badh gaya aur mere saath saath hi Avantika Anjali aur Ronit
bhi stairs ke taraf badh gaye

In my room:

abbe ye sab ek saath yaha? koi problem hai kya? Ronit ki baat sun jahan ek taraf main
hans diya wahi Anjali usse ghur kar dekhne lagi jise dekh Ronit hadbada gaya wahi
Avantika ko toh kuch samjh me hi nahi aaya aur issliye

Avantika:- sab ek saath yaha matlab? kiski baat kar raha hai? kaun hai yaha?

Main:- khud hi dekh lo saamne aa jaayiye mere bolte hi tez prakash ke beech wahi maaya
hui jo angels ke mere room me aate hi har baar hoti thi mere room ka daayra badhta chala
gaya aur dekhte hi dekhte uss daayre ne ek anthi n kamre ki shakal le li jaise hi iss maaya
ne apna kaam kiya uske agle hi pal jo roshni hamare charon taraf faili thi wo roshni
ghatathi chali gayi aur ab hamare ek taraf vrihakh ke teeno dost dusri taraf Warriors
World/isla ke Defender teesri taraf the three Gods messenger aur chouthi taraf saare
angels khade the in sabko ek saath dekh Avantika shocked ho gayi usse andaza ho gaya
tha ki koi bohat hi important baat hai aur issliye hi ye sab ek saath mere paas aaye hain
wahi mere saamne aate hi Defender Angels aur Gods messenger apne ghutno par aa gaye

Main:- khade ho jaayiye mere bolte hi sabhi wapas khade ho gaye

St Sebastian:- lord aapko toh sab pata hai kripya hume bhi iss anbujhi paheli ka matlab
samjhayen

Ronit:- bhaiye sab kis bare me baat kar rahe hain? kuch hua hai kya? Ronit ki baat sun ek
baar firse Anjali ne usse ghur kar dekha

Main:- kal se ab tak tu ek baar bhi dhayan me baitha hai?

Ronit:- nahi Ronit ne thoda darte hue apni baat kahi thi usse bhi andaza ho gaya tha ki
dhayan me naa baithne ki wajah se usse kuch bohat hi important chhut gaya hai

Main:- wajah jaan sakta hun?


Ronit:- bhai wo kal Anjali ke milne ki khushi ki wajah se

Main:- tu apna kartavya bhul gaya tu bhul gaya ki ab tu koi sadharan manushya nahi hai
angels ki shakti hai tujhme ye shakti show off ke liye nahi hai Ronit iss shakti ke saath ek
zimmedari aati hai pure bramhaand aur manushya jati ki rakhwali ki zimeedari personally
hume kitni hi khushi ya gum kyu naa ho par uske liye apne kartavya se mouh nahi moda
jata Ronit tujhe toh kal sirf ek rishta wapas mila tha par Anju ko toh ek saath kitne hi rishte
wapas mil gaye the tere pyaar ka apne maa baap ka mere aur tere mom dad ke pyaar ka
rishta in sab khushiyon ke baawjud Anju ko jo thoda time mila tha usme bhi wo turant
dhayan me baithi thi taaki apne kartavya ka paalan kar sake sochne ki baat hai naa kyu
Ronit? meri baat sun Ronit ko apne bhul ka ehsaas hua

Ronit:- sorry yaar mujhe dhayan dena chahiye tha

Main:- aage se dhayan rakhna aur abhi jo hua hai wo khud pata laga meri baat sun Ronit
turant jahan khada tha wahi dhayan mudra me baith gaya apni sabhi indriyon ko jaga
Ronit ne jaise hi khudko pure universe se joda uski aankhen ek jhatke me khul gayi usse
bhi wahi jhatka laga jo baaki sabko laga tha

Ronit:- ye sab kya hai? aisa alag raha hai maano universe ke saare jeeven deyi grah me ek
saath kisi nakaratmak taakat ne ghera bana liya ho

Main:- hmm issiki wajah janane ke liye ye sab yaha aaye hain par filhal main aap sab ki
jigyasa shaant karne me asamarth hun mujhe bhi aap sab ki hi tarah koi idea nahi hai ki
ye nayi maaya aakhir hai kya? meri baat sun sabhi ko ek jhatka laga kisi ko bhi mujhse yun
negative answer ki ummid nahi thi

Main:- main aap sab ki manodasha samjhta hun par baat ye hai ki jis nakaratmak shakti
ka bhed janane ke liye aap sab yaha aaye hain usne khud ko ek point par laa kar chhupa
liya hai aisa lag raha hai maano jisne bhi ye maaya rachi hai usne khudko iss spell ke asar
se nikle uss nakaratmak energy se kaat sa liya hai uss nakaratmak energy ka power source
pure bramhaand me failne ke baad band sa ho gaya hai aisa pratit ho raha hai maano usse
koi mediator chahiye khudko aage badhane ke liye aise halaat me main kaise uske bare
me pata laga sakta hun haan agar uss nakaratmak shakti se bani chaadar me halki si bhi
movement ho hulchul ho toh main uske shroth ka pata laga usse nasht kar sakta hun tab
tak main ya aap sab kuch nahi kar sakte jahan ek taraf meri asamrthatha sunkar sabhi sad
hue wahi ye sunkar ki kuch bhi galat ghate the hi mujhe sab pata chal jayega aur main
usse thek bhi kar dunga sabko santosh hua mujhse ijazat lekar sabhi wapas apne apne
sthaan ki taraf antardhayan ho gaye
Anjali:- yaar tune bol toh diya par jo problem tujhe tak samjh me nahi aa rahi hai wo koi
choti baat toh hogi nahi

Main:- janta hun issliye jahan jahan ye nakaratmak energy ne apna dera daala hai maine
har us jagah ko khudse jod liya hai

Ronit:- toh ab?

Main:- ab kya? yaha baithe baithe kya kare ge chalo hum charon kahi ghum kar aate hain

Anjali:- haan yaar arsa beet gaya hum sabko ek saath hang out kiye hue aur aaj toh maza
aayega kyu ki aaj hum sab sirf frndz ki tarah nahi balki to couples ki tarah ghumenge Anjali
ki baat sun hum sab hans diye

Ronit:- par chalen kahan?

Main:- jab lover ki tarah ghumna hai toh lovers point chalte hain

Ronit:- haan bhaiye sahi rahega wahi chalte hain kaha jana hai tay kar hum sab neeche
gaye ghar walon se permission lekar hum sab lovers point ki taraf nikal gaye

Place: Lover's Point wow yaar kya nazara hai

ek ghante ki drive ke baad hum sab jab lovers point pahunche toh baag aur uss baag me
lage rang birange phoolon ko dekh Ronit ke mouh se ye taarif nikli

Main:- yaha pehli baar aa raha hai kya? beta nazara wahi hai aur hum bhi bas rishton ke
maayno me ferbadal hua hai jis wajah se ye jagah aur khubsoorat lag rahi hai pehle jab tu
yaha aata tha tab Anjali sirf teri frn thi aur ab tere dil ki dhadkan hai

Ronit:- waise ye baat main bhi tere bare me keh sakta hun pehle Avni bhi teri frnd hi thi
par ab teri gf hai maayne toh tere relationship status ke bhi badle hain

Main:- bilkul nahi bhale hi pehle main aur Avni frndz the par hum dono ke dilon ne ek
dusre ko hamare ikraar se pehle hi kubool kar liya tha aur hum dono hi tum dono ki tarah
duffer bhi nahi the jo apne hi dilon ki awaaz ko nazar andaz kare hamari dosti me bhi ishq
tha mohobbat thi pyar tha par tum dono ke mohobbat me bhi dosti thi

Ronit:- bas kar mere bhai galti ho gayi jo maine compare kiya Ronit ne haath jodte hue
apni baat kahi jise sun hum sab hans diye

Ronit:- toh ab kis taraf chalen


Main:- oye itni jaldi bhul gaya kya? aaj hum as couple yaha aaye hain issliye tum dono
apni khamoshi dhundo hum dono apni Avantika ka haath thaam uski aakhon me apna aks
dekhte hue maine ye baat kahi jise sun aur dekh Avantika muskura uthi

Anjali:- le ye dono toh abhi se ek dusre ki aankhon me doob gaye chal Ronit inhe akela
chhod hum apna aashiyana dhhondte hain haste hue Anjali aur Ronit ek taraf chal diye
wahi main bhi Avantika ka haath thaame dusri taraf nikal pada kuch der tak yunhi chalne
ke baad jahan Ronit aur Anjali ek fountain ke paas ki ghaans par baithe wahi main aur
Avantika chalte hue ek khubsoorat ped ke paas pahunche jispar rang birange colour ke
phool lage hue the hum dono wahi uss ped ke neeche baith gaye

Ronit/Anjali:

Anjali:- aise kya dekh rahe ho

Ronit:- tere iss khubsoorat chehre ko pata hai Anju jab hum dono ne ek dusre ko propose
kiya tab mujhe yakin hi nahi hua ki tu sach me meri ho gayi ye toh ek aisa sapna tha jo
mere liye meri zindagi se bhi badhkar tha jo aakhir kaar sach ho gaya hamare rishton ke
maayne badle ek dusre ko dekhna ka tarika badla hum do hote hue bhi ek ho gaye zindagi
itni khubsoorat ho jayegi ye kabhi socha hi nahi tha par fir wo din aaya jab tujhe mujhse
door kar diya gaya aur kudrat ka mazak dekh ki mujhe apni hi barbaadi ki khabar tak nahi
thi main toh ek lambi behoshi me chala gaya tha jab utha tab pata chala ki meri rooh mere
jism se alag ho chuki hai aur main jeete ji mar gaya saans toh le raha tha par zinda hunye
ehsaas mar chuka tha bas ek maksad tha ki jo mere saath hua hai wo aur kisi ke saath naa
ho mere iss jasbaat iss ehsaas ko mere bhai ne samjha aur mujhe ek aise safar me le gaya
jahan se main apne maksad ko anjam dene ke layak ban paata itna sab kuch hua maine
wo sab haasil kiya jo mujhe chahiye tha par tere jane se jo khaalipan mere andar ghar
bana gaya tha wo waisa hi raha Shadow World toh main iss soch ke saath gaya tha ki apne
maksad ki shuruat karunga par mujhe kya pata tha ki uss maayavi planet me mujhe meri
zindagi wapas mil jayegi aaj tu mere saamne hai pata hai aaj bhi mujhe wahi feel aa raha
hai jo uss din aaya tha jab hum dono ne ek dusre ko propose kiya tha kahi ye sapna toh
nahi hai naa Anju ye bol Anjali ko chhune ke liye Ronit ne apna haath badhaya maano
wakayi usse touch karkar tasalli kar lena chahta ho ki sach me Anjali zinda hai aur uske
saamne hai Ronit ki hatheli Anjali ke gaal ko sehlane lagi Anjali ne bhi apne gaal par Ronit
ke haath ko daba sa liya

Anjali:- hum dono ek ho jayenye sarf aapka nahi tha Ronit mera bhi tha aur jab mujhe
aapse alag kar diya gaya toh meri bhi zindagi ujad gayi thi aapke chehre ko apne aakhon
me basaye iss ummid ko jalaye hue ki ek din hum dono ek dusre se zaroor milengemaine
apne vanvaas ka har din kaata hai aaj jaise aapko mujhe apne saamne dekh kar bhi yakin
nahi ho raha hai naa ki main sach me aapke saamne hun thek waisi hi feeling mujhe bhi
aa rahi hai par main janti hun ki hum dono saath hain ye sach hai aur ye sach ab kabhi
nahi badlega Anjali ki baat sun Ronit muskura diya

Ronit:- waise tu mujhe aap kyu bol rahi hai?

Anjali:- mujhe acha lagta hai sabke saamne agar maine aaisa kaha toh hum dono ka sab
mazak udayenge issliye akele main main aapko aap kehkar hi bulaungi aur aap mujhe tu
hi kehna kyu ki mujhe aapka waise mujhe bulana hi acha lagta hai Anjali ki baat sun Ronit
fir se muskura diya

Ronit:- I luv u Anju

Anjali:- luv u too Ronit ishqe ke izhaar ke baad Anjali aur Ronit dono hi aage badhte gaye
aur dekhte hi dekhte dono ke lab aapas me jud chuke the

Main:- jo dil me hai wo keh dena chahiye AV

Avantika:- dil me toh tum ho ab tumhe tumse kaise kahu?

Main:- ussi awaaz se jo dil ke dhadakne se nikalta hai ussi awaaz me mujhe ek shikayat
sunayi de rahi hai main ussiki baat kar raha hun

Avantika:- sunayi de rahi hai ya tumne mann padha hai mera?

Main:- bilkul padha hai par apni heavenly shaktiyon ki madad se nahi balki apni spiritual
shakti ki help se

Avantika:- spiritual shakti wo kya hota hai?

Main:- mohobbat ye wo wire hai jiska connection directly aapke heart se hai issi
connection se mujhtak ye feeling pahunchi hai ki aapke mann main kuch chal raha hai

Avantika:- jab feeling pahunch chuki hai toh fir puch kyu rahe ho?

Main:- kyu ki sawal tumhara hai puchna toh tumhe hi padega naa? kuch der tak meri
aankhon me dekhte rehne ke baad

Avantika:- kabhi kabhi mujhe dar lagta hai Vj jo bhi hua hai aur jo bhi ho raha hai wo ek
aise raaste ke taraf le jaa raha hai jiske bare me tumhe tak kuch nahi pata main janti hun
ki tum har mushkil se nikalne me capable ho par kabhi kabhi zyada kabiliyat bhi nuksaan
pahuncha deti hai main ye bhi janti hun ki tum haar se nahi darte par mujhe uss haar se
milne wali saza se dar lagta hai jo ummid har kisiko tumse hai mujhe uss ummid se dar
lagta hai har kisiko tumhari kaamiyaabi dikhti hai par mujhe uss kaamiyaabi ke liye
tumhari di gayi keemat ke bare me soch kar dar lagta hai kisi ke liye tum dost ho toh kisi
ke liye Lord of Angels par mere toh tum sab kuch ho Vj mujhe iss sab kuch ke kho jane ka
dar lagta hai bohat dar lagta hai mujhe aapni baat kehte waqt jo aansu Avantika ke
aankhon me tehre hue the wo aakhri labz kehte kehte apni seema laangte hue bahar
chalak pade par iss pehle ki wo aansu neeche zamin par girte maine unhe hawa me hi rok
diya

Main:- itni saari shikayaten apne andar lekar ji rahi ho tum aur kehti ho ki dil me sirf main
hi hun janti ho mujhe kisse dar lagta hai? in motiyon se jo tumhare aankhon se nikle hain
inke liye apni aakhon me jagah mat banaya karo AV kyu ki tumhare aankhon me aane
wale ye aansu hi meri sabse badi haar hai meri baat khatam khatam hote hue wo aansu
jo maine hawa me roke hue the wo gaayab ho gaye wahi meri baat sun Avantika jhat se
mere gale lag gayi

Main:- tum meri shakti ho AV bhale main hi kyu naa kamzor padunpar tum kamzaor kabhi
mat padna kyu ki ek tum hi ho jise dekh main bure se bure haalat se bhi ladhkar bahar aa
sakta hun ab main ek sawal puchun? meri baat sun Avantika mujhse alag hui aur mujhe
dekhne lagi

Main:- Ronit Anjali Akshaant Shaila Mokalsar in sabko maine aloukik shaktiyan di par
tumhe kabhi kuch nahi diya kya kabhi iss baat se tum upset hui ho? kya kabhi tumhe laga
ki tumhare paas bhi ye sab hona chahiye apne zimmedaariyon ko nibhaane ki wajah se
maine tumhe kabhi theek se time nahi diya wo moments jo har couple ek dusre ke saath
spend karte hain maine tumhe wo khushi kabhi nahi di kya kabhi iss baat se tumhe taklif
nahi hui? meri baat sun Avantika muskura di

Avantika:- shaktiyan? jo shaktiyan tumne tumhare doston ko di haiwo issliye di kyu ki


unhe uski zaroorat thi taaki wo apni jung khud lad saken par meri toh har jung tumhari hi
hai tumhari beshumaar powers kahi na kahi meri bhi milkiyat hain jab tumse tumhare
bhai ne tumhari pehchaan cheeni thi tab wo pehchaan tumhare doston ke paas nahi mere
paas thi aaj bhi itni shaktiyan haasil karne ke baad bhi tumhare kisi bhi dost me itni taaqat
nahi ki tumhari shaktiyan sambhal sake par main ye kar sakti hun wo bhi bina kisi shakti
ke jab bina koi power mile mujhe aise aise adhikar mile hain jo aur kisiko nahi mil sakte
toh fir main udaas kyu rahun aur rahi baat tumhari mujhe time nahi dene ki toh janab ishq
kiya hai aapse koi souda nahi jinme sharte laagu ho tum mere andar mujhse zyada ho Vj
meri rag rag me khoon se zyada tumhari mohobbat behti hai aur tumhe aisa kyu lagta hai
ki tum mujhe waqt nahi dete naa tum sirf tum ho aur naa main sirf main hun tumme
tumhare saath main hun aur mujhme mere saath tum ho aur jab main aur tum milkar
"hum" ban jata hain toh rishta waqt ka mohtaaj nahi hota aaj shayad pehli baat Avantika
ki baat ya fir ye kahu ki uski feeling uske andar se puri tarah bahar aayi thi jise sun mujhe
aisa laga maano mere andar ki aatm glaani ke registaan par baarish ki bouchaar ho gayi
ho

Main:- par fir bhi main tumhe kuch dena chahta hun aur wo hai waada main tumse waada
karta hun AV ki main tumhari har wish puri karunga bhale hi usse pura karne ke liye mujhe
kuch bhi kyu naa karna pade par main karunga meri baat sun Avantika bas halke se
muskura di

Main:- I luv u AV

Avantika:- I luv u more Vj izhaare ishq ke baad lab khaamosh toh hue par unki tadap badh
gayi jise mitane ka ek hi tarika tha aur issliye main aur Avantika aage jhukte chale gaye
aur agle hi pal hum dono ke labon ne ek dusre ko apna liya tha kitne pal beete pata hi nai
chala aur shayad aage bhi pata nahi chalta par tabhi ek zor ke jhatka mujhe laga jiske lagte
hi main turant Avantika se alag ho gaya mujhe yun jhatka lagte dekh Avantika hairan reh
gayi aur jab uski aankhen mere chehre par padi toh uski hairaani aur badh gayi reason
mere ankhon me iss waqt itna shock tha jo aaj tak kabhi bhi nahi aaya tha main kuch keh
hi nahi paa raha tha bas chehre par shock ke expressions liye ek tak shunya me ghure jaa
raha tha kuch der tak wait karne ke baad bhi jab mere expressions nahi badle toh Avantika
ne mere kandhe ko jhanjhoda tab kahi jaakar main apne present me wapas aaya

Avantika:- kya hua?

Main:- hume turant ghar ke liye nikalna hoga maine Avantika ek sawal ko gol kar apni baat
kahi Avantika ne bhi fir dobara kuch nahi kaha aur hum dono khade ho gaye

Main:- (mann main) Anjali Ronittuarnt entrance gate par pahuncho Anjali aur Ronit jo
abhi bhi kiss kar rahe the un dono ke dimag me jaise hi meri awaaz gunji toh dono ko hi
jhatka sa laga aur dono turant alag ho gaye meri awaaz me jo hadbadi thi wo dono hi
bhaamp gaye the issliye bina kuch kahe hi dono turant uthe aur entrace gate ki taraf badh
gaye

Anjali:- kya baat hai Vj? kuch hua hai kya? entrace par aate hi Anjali ne mujhse pucha
Main:- ghar chalo pata chal jayega ye bol main parking ki taraf tezi se badh gaya mere
peeche peeche hi teeno bhi hairan pareshan se aane lage sabke car me baiththe hi maine
car ghar ki taraf douda di mere ghar me sab pata chal jayega bolne ki wajah se kisi ne bhi
raaste me mujhse kuch nahi pucha par sabhi ke chehre par pareshani ke bhaav ab bhi the
raaste me mujhe ek call aaya jo meri mom ka tha maine call uthaya saamne se kuch kaha
gaya jise sun main turant aa raha hun kehkar call kaat di

Place: Menakshi Mansion

arre hum dono ke parents toh ab tak yahi par hain par ye sab itne serious kyu lag rahe
hain ghar me enter hote hi Ronit ne apni baat kahi

Main:- thodi der ruk sab pata chal jayega ye bol main thoda aur aage badha aur

Main:- dad meri awaaz sun dad aur unke saath saath sabki nazar hum charon par padi ab
tak main sofe ke paas pahunch chuka tha

Main:- are u alright dad? mom ne bataya ki aapka accident hua hai?

Dad:- tum bhi na Minu bacche ghumne gaye the tumne bekaar me hi in sab ko panic kar
diya I’m good beta wo highway egde par car zara zyada skid kar gayi saamne ke dono tyre
burst ho gaye par mujhe kuch nahi hua but haan hamare driver ko thodi chot aayi hai wo
sab chhodo inse milo inhone meri bohat help ki jab hamara accident hua toh inki car wahi
se paas ho rahi thi hamara accident hote dekh inhone apne driver se bol hamare driver
ko hospital pahunchwaya aur mujhe yaha ghar tak lift bhi kar diya

Unknown:- uncle aap mujhe badon jaise inhone kyu keh rahe hain main bhi aapke bete ki
hi tarah hun infact aapko toh maine similarity bhi batayi hai

Dad:- arre haan pata hai Vicky ye Greece me paida hua hai par iske mom dad Indian hain
aur sabse kamaal ki baat ye hai ki iske dad naam bhi Jairaj Singh hai aur mom ka naam
Menakshi Singh hai naa kamaal ka ittefaaq aur iss young lad ka naam hai

Unknown:- main apna intro khud dunga waise aapka naam toh ab tak mujhe pata chal hi
chuka hai Vikram right and me my name iss "Asmodeus"

Place: Heaven

ye sab kya hai? Asmodeus wo bhi Lord ke ghar me aisa dussahas karne ki wo soch bhi
kaise sakta hai?
St Cecilia:- aap bhul rahin hai ki wo kaun hai? maane ya naa maane par wo bhi
parmeshwar putr hai bal me Vikram jitna hi shaktishali kintu chhal me Lord se bhi zyada
chalta hai uska dimag par sawal aapka apni jagah par bilkul ucchit hai aakhir Asmodeus ka
Lord ke ghar me aane ka kya prayojan ho sakta hai St Cecilia ki baat ko St Alfrick ne aage
badhaya par iss beech St Sebastian ekdam shant rahe jaise unhone in dono ki baat suni hi
naa ho wo apne hi kisi dimagi manthan me vyast lag rahe the wahi apni apni baat keh jab
St Cecilia aur St Alfrick ka dhayan St Sebastian par gaya toh undono ne bhi unhe gehri soch
me dube paya

St Cecilia:- St Sebastian apna naam sun St Sebastian jaise achanak apni soch se bahar aaye
apni soch se bahar aa unki nazar St Cecilia par theher gayi

St Cecilia:- aap kis soch me khoye hue hain?

St Sebastian:- ussi soch me jiski baat aap dono kar rahe hain kintu

St Alfrick:- kintu kya?

St Sebastian:- main kuch aur bhi soch raha tha kya aapko ye baat ajeeb nahi lagi ki hum
sabko kafi der se kisi nakaratmak shakti ka abhaas bramhaand ke samast jeeven deyi grah
par ho raha tha jiske bare me hum pata bhi nahi laga paa rahe the aur issi vichitr sthi thi
ke dauran Asmodeus ka Lord ke ghar par aagaman hua hai kya aapko lagta hai ki ye saari
baatein kewal ek sanjog ho sakti hai?

St Cecilia:- aapka sahi keh rahe hain St Sebastian in dono ghatnao ka ek saath hona koi
sanjog nahi ho sakta

St Alfrick:- par agar ye sanjog nahi hai toh fir hai kya? kya karne ki soch raha hai
Asmodeus?

St Sebastian:- ye toh sirf khud Asmodeus hi bata sakta hai jo wo batayega nahi bas itna
kaha jaa sakta hai ki jo bhi hone wala hai wo kisine bhi socha tak nahi hoga kuch anisht
bohat bada anisht hone wala hai St Sebastian ki baat sun dono messengers bohat zyada
tension me aa gaye

St Alfrick:- bhale hi hum teeno ko apni jaan hi kyu naa deni pade kintu hum Asmodeus ko
apni chaal me kaamiyab nahi hone denge

St Cecilia:- aap thek keh rahe hain St Alfrick hum teeno turant Prithvi ke liye prasthan
karte hain aur har waqt hamesha Asmodeus ke aas paas hi rahenge hum teeno ko apne
aas paas dekh Asmodeus jis bhi jaal ko bun raha hai usse chhod hum teeno se yudh karne
me lag jayega aise me shayad uska bichaya maaya jaal toot jaye aap kya kehte hain St
Sebastian? isse pehle ki St Sebastian kuch kehte aap teeno kahi nahi jaa rahe hain jaise hi
ye awaaz teeno messengers ke kaano me gunji teeno ke haath judte chale gaye aur teeno
turant apne apne ghutno par aa gaye aana hi tha kyu ki ye awaaz aur kisi ki nahi balki God
ki thi

God:- aapko bhi pata hai ki aap teeno milkar bhi Asmodeus ka saamna nahi kar sakte phir
ye haasya pad nirnay kis aadhar par liya aapne maine apne ek bete ke liye apne dusre
bete ko bheja hai Asmodeus ka saamna karne ka saamarthya aur kartavyasirf aur sirf
Vikram ka hai aap teeno wahi kaarya kijiye jise karne ka aadesh aapko mila hai ye kahani
in do bhaiyon ki hai aur samay aa gaya hai jab ye dono iss kahani ko iske anjaam tak
pahunchayenge

St Sebastian:- hey param pitah parmeshwar kya hum kuch puch sakte hain?

God:- aap yahi jaanna chahte hain naa ki kis uddeshya ki purti hetu Asmodeus Vikram ke
paas gaya hai?

St Sebastian:- ji param pitah aakhir kya chahiye Asmodeus ko lord se?

God:- balidaan God ki baat sun teeno meesengers shocked ho gaye

St Sebastian:- balidaan? kaisa balidaan?

God:- swayam ka ya bramhaand ka

Planet: Earth Place: Lonavla Farm House

waise dad ek baat toh manana padega age ka aapke body ke upar koi khaas fark pada nahi
hai aap aaj bhi kisi young bande ki hi tarah fit hain arre beta jab wife itni beautiful ho jise
dekh aaj bhi log uska picha kare aahen bharetoh fir baat competition ki aa jati hai aise me
khud ko fit toh rakhna hi padega naa aap bhi naa kuch bhi bol dete ho kabhi toh samjha
karo ki ab aapki umr nahi rahi yun khule aam flirt karne ki arre kya baat kar rahin hain
mom u should toh feel lucky jo aapko aise husband mile hain jo shayadi ke itne saalon
baad bhi aapse apne dil ki baat khulle aam karte hain kitne couple honge jo aisa kar paate
honge? iss baat par sabhi ne sehmati jatayi Lonavla Mumbai jaise bheed bhare sheher se
kuch 83 km door pahaodon ke saaye me basi ek khubsoorat jagah aur issi khubsoorat
jagah ke beech bani ek khubsoorat farmhouse jo ki hamari hi mikliyat hai aur jahan iss
waqt hum teeno friends aur hamari families iss waqt to din ke holiday ke liye aaye hue
hain darasal 3 din ke back to back meetings ke baad dad aur uncles ka to din off tha in do
dino ke off ko khaas banane ke liye sabne Lonavla jane ki baat kahi aur hence hum sab
yaha hain baat se yaad aaya jo conversation filhal hui jisme ek bande ne Jairaj aur
Menakshi ko dad aur mom lafz se sambhodit kiya wo main nahi tha balki Asmodeus tha
darasal Asmodeus ne mere mom aur dad se kaha tha ki uske bhi mom dad ka naam Jairaj
Singh aur Menakshi Singh hai itna hi nahi usne ye bhi kaha ki mere mom dad usse uske
mom dad ki yaad dilate hain aur issliye kya wo mere mom dad ko mom aur dad ko dad
kekhakar bula sakta hai? Asmodeus ki baat sun mere mom dad khush ho gaye aur khaas
kar mom reason simple hai bhai jis bande ne unke suhag ke accident ke waqt unki help ki
wo toh unhe pyaara lagega hi upar se kamina hai toh mera hi bhai iss wajah se saale se
vibe bhi meri hi tarah aati hai jo mere mom dad ko bhi feel hui jis wajah se unhe bhi
Asmodeus naamak jantu me main dikhne laga tha

Ronit:- bhaitere saath rehkar na jane kitne hi jhatke dekhe aur jhelen hain par iss baar jo
jhatka laga hai waisa jhatka aaj tak nahi mila tera ye khurapaati bhai achanak se hamare
ghar me prakat hota hai uske baad hamare ghar wale isse hamare saath yaha holiday
manane ke liye invite karte hain jise ye khushi khushi maan leta hai phir janab tere mom
dad ko apne mom dad kehkar bulane lagte hain saala ye sab chal kya raha hai?

Anjali:- sabse bada jhatka ye nahi hai Ronit sabse badda jhatka hai iski yaha aane ki timing
tumhe ye ajeeb nahi lagta ki jab pure universe me achanak hi ek negative energy ki
chaadar prakat ho gayi ho thek ussi waqt Asmodeus yaha hamare saamne aaya hai I mean
abhi hi kyu ye yaha aaya hai jabki agar ye sab isne kiya hai jo ki main sure hun ki ye sab
issi ka kiya dhara hai toh aise me toh isse Vj se bohat door chale jana chahiye taaki Vj chah
kar bhi iske jhol ka pata naa laga paye par ye toh ulta kar raha hai ye khud yaha Vj ke
saamne hai aur ye yunhi nahi ho sakta zaroor kuch na kuch toh iske dimag me chal raha
hai

Ronit:- ye bhi toh ho sakta hai ki ye hamara mazak udane aur apni jeet ka jash manane
yaha aaya ho isse ye baat pata ho ki hum iske maaya jaal ko nahi samjh paa rahe hain aur
issliye hume neecha dikhane yaha aaya ho

Main:- Asmodeus unme se hai jinhe manzil se zyada safar me maza aata hai aur aise log
kabhi bhi dusre ke haar par unhe chidhate nahi isse sirf apni jeet se matlab hai saamne
wale ki haar se nahi

Avantika:- Vjj ab se Asmodeus aaya hai tum chup se ho gaye ho kya tumhe pata chal chuka
hai ki iske yaha aane ka maksad kya hai?
Main:- agar pata chal chuka hota toh ab tak main sab thek kar chuka hota main toh bas
uss chiz ko dekhne ki koshish kar raha hun jo mere aankhon ke saamne hote hue bhi
invisible hai uss lekhani ko padhne ki koshish me hun jo saaf saaf likha hua hai par fir bhi
samjh me nahi aa raha uss hawa ko mehsoos karne ki koshish kar raha hun jo mere andar
toh jaa rahi hai par bina mujhe chhue hue arre aisa kaun sa game khel rahe ho bhai jo
hamare saath baithne tak ki fursat nahi hai tumhare paas abhi hum mainse koi kuch kehta
usse pehle hi ye awaaz aayi jo aur kisi ki nahi Asmodeus ki thi apni baat keh dad se
permission le wo meri taraf badha wahi uske meri taraf aate waqt

Mom:- pata nahi kyu par isse dekhte waqt aisa lagta hai jaise main Vicky ko hi dekh rahi
hun

Dad:- mujhe bhi same feeling aati hai aisa lagta hai jaise ye aur Vicky siblings hon waha
mom aur dad Asmodeus ko jo ki mera hi bhai hai usse apni samjh se mera bhai banane
par tule hue the aur yaha

Asmodeus:- kya hua bhai kuch waqt hamare saath bhi bitalo kya pata fir mouka mile naa
mile aur agar mile bhi toh shayad aalam itne khushgawar naa ho

Ronit:- oye dialogue ke dukaan pehle tu ye bata aur sidhe sidhe bata ki yaha aaya kyu hai?
ab saale iss Ronit ka main karu toh kya karun? ek number ka mouh fat hai ye zara sa bhi
nahi sochta ki saamne kaun khada hai? jis lihaz se Ronit ne Asmodeus se baat ki thi shayad
aur kisi ne ki hoti toh uski rooh uske jism se ab tak alag ho chuki hoti

Asmodeus:- jab pata ho ki tum uss kile ke andar ho jo bramhaand ke sabse bade tufaan
ko bhi jhel sakta hai toh aksar ghamand aa jata hai par tumhe ye nahi bhulna chahiye ki
bhaade ki zindagi par itraya nahi karte naajane kab zindagi mout ke hawale ho jaye

Main:- kiraye ke makaano me rehne wale logon ko achanak nikaale jane ka dar rehta hai
jiska khudka makan ho usse kaisa dar jahaz kitna hi bada kyu naa ho samandar me uththi
leheron se khatra usse hi rehta hai samandar ke andar basne wali choti choti machliyon
ko nahi Ronit wahi machli hai jo mere samandar me hai mere rehte usse kaisa khatra
khatra toh tum jaise bade jahaz ko hai hamari lehro se zara bachke rehna pata nahi isme
kab doob jaao

Asmodeus:- jahaz ko samandar ki leheron se kitna hi khatra kyu naa ho par jahaz banti
samandar ke liye hi hai mere bhai aur rahi baat doobne ki toh jahaz dubega ya nahi ye
jahaz par nahi balki uss jahaz ko chalane wale ki hunar par nirbhar karta hai aur jis jahaz
ko Asmodeus chala raha ho usse dubone ki gurbat kisi samandar me nahi
Main:- pata hai sher apne jungle ka raaja hota hai par sirf tab tak jab tak usse khunkhaar
sher uss jungle me apne panje nahi jamata mousam fitrat aur taqat teeno ko hi badalne
me waqt nahi lagta mere bhai

Asmodeus:- waqt waqt se yaad aaya ki waqt aa gaya hai nahi samjhe samjhata hun mujhe
yaha apni family ke beech dekh jo uthal puthal tumhare mann main chal rahi hai jo sawal
tumhare dimag me ghar kiye baithe hain un sawalon ke jawab milne ka waqt aa gaya hai
naa sirf jawab milne ka par un jawabon se jo chizen saamne aayengi tumhara unse saamna
karne ka waqt aa gaya hai naa sirf saamna karne ka balki saamna karne ke baad aakhir me
jab asliyat tumhare saamne hogi toh uss asliyat par apne faisle ka mohar lagane ka waqt
aa gaya hai mere bhai waqt aa gaya hai Asmodeus ki baat sunte waqt mere chehre par
koi expressions nahi the par mera dil mere dimag dono me hi iss waqt bhuchaal sa aaya
hua tha mujhe pata toh nahi tha ki kya hone wala hai par andaza zaroor ho gaya tha ki jo
bhi hoga wo meri soch se bhi upar aur khatarnaak hone wala hai yaha main apni soch me
gum tha par tabhi kad kad ek zordaar bijli ki awaaz hum sabke kaano me gunji ye awaaz
normal se bohat zyada tez thi jise sun jahan ek taraf Ronit Anjali aur Avantika shocked
hue wahi mere ghar wale halka dar se gaye the yun achanak itni zor ke bijli ke kadakne se
jahan ek taraf sabhi ke chehron par dar aur shock ke reactions the wahi Asmodeus mand
mand muskura raha tha

Mom:- Vicky Anju Ronit Avni Asmodeus beta yaha aao sabhi apni apni sochon me gum
the ki tabhi mom ne hum sabko apne paas bulaya hum sab bhi jahan saare ghar wale
baithe the uss taraf chal pade

Dad:- ye achanak kya hua? aaj toh mousam kafi saaf hai naa fir ye achanak bijli kaha se
kadak gayi

Mom:- aur wo bhi itni tez maine aaj tak itni zor ki bijli kadakte kabhi bhi nahi suna hai yun
achanak itni tez bijli ki kadakne ki wajah se sabhi gharwale apni apni pratikriya de hi rahe
the ki tabhi mujhe ek zor ka jhatka laga ye jhatka sirf mujhe hi nahi balki mere saath saath
Anjali aur Ronit ko bhi laga tha ek dusre ke chehre ko dekhte hue humne turant iss jhatke
ke kaaran ke paas jaan ka faisla kiya aur

Main:- mom hum upar room me hain

Mom:- beta Asmodeus ko bhi le jaao yaha hamare saath rehkar bore ho jayega jahan ek
taraf mom ki baat sun Anjali aur Ronit ke chehre par tension ke bhaav ubhre wahi
Asmodeus ke chehre par smile aa gayi abhi main mom ki baat ke liye kuch kehta ki tabhi
Asmodeus:- nahi mom main yaha aap logon ke saath hi rahunga Asmodeus ki baat sun
mujhe kuch atpatta laga mujhe laga tha ki wo hume akele kahi jane nahi dega par yaha
toh ulta ho gaya par filhal jo ho raha tha usse nipatna zyada zaroori tha issliye

Main:- lets go guyzz hum sab upar wale room ki taraf badh chale upar chalte waqt mujhe
ek khayal aaya par maine uss khayal ko apne dimag se jhatak diya

Avantika:- kya hua guyzz? tum sab itne tension me kyu ho?

Anjali:- wo black energy ki chaadar yaad hai jo kuch dino se pure universe me faile si gayi
hai par dikh nahi rahi

Avantika:- haan par uska kya?

Anjali:- Isla me wo energy active ho gayi hai Vj ne pure grah me apne shields bichayen
hain jiski wajah se wo black energy aage nahi badh paa rahi par

Avantika:- par kya?

Ronit:- par iska ek negative effect hua hai uss negative energy ka effect itna zyada hai ki
Vj ki shield se takrane ke baad uske kan vibrate ho rahe hain jiska asar Isla ke zamin par
ho raha hai uss negative energy ke saath saath ab waha ki zamin par bhi vibrations hone
lage hai agar kuch der aur aisa chalta raha toh pure Isla ko zor ke jhatke lagne lagenge
waha ki zamin ke neeche jo laava hai wo fatkar bahar aa jayega waha par jo floating
mountains hain wo bhi asthi r hokar neeche gir jayenge jise bohat zyada nuksaan hoga in
short jo ho raha hai agar usse roka nahi gaya toh Isla bas kuch hi der me khatam ho jayega
Anjali ki baat sun Avantika ko zor ka jhatka laga jitna usne ya fir hum sabne anticipate kiya
tha ye toh usse bhi zyada khatarnaak tha bhale hi iss waqt sirf ek grah khatre me tha par
Asmodeus ne toh same haalaat universe ke har planet me kar rakhe the Asmodeus ne
sahi hi kaha tha jo sawal mere dimag me chal rahe the finnaly mujhe unke kuch bhaagon
ka jawab mil gaya tha aur naa hi sirf jawab mila tha balki jaisa ki Asmodeus ne kaha tha
hamara un jawabon ka saamna karne ka waqt bhi aa chuka tha

Main:- avtum yahi ruko hum Isla ke haalat ko theek karke aate hain Avantika ko sab bata
hum teeno gayab ho chuke the

Planet: Isla Place: Floating Mountain

ye kaisi maaya hai? main iss kampan ko puri tarah se rok kyu nahi paa raha hun mere
uccharit kiye hue har mantra ka asar toh in pahadon par ho raha hai par kewal kuch hi
shan ke liye kuch shan pashchat mere mantro ka prabhav apne aap hi khatam ho jaa raha
hai agar aisa hi chalta raha ye kampan yunhi hote rahe toh sirf kuch waqt ki baat hai ye
pahad in kampan ko bardasht nahi kar payenge aur neeche gir jayenge aur agar aisa hua
toh nahi nahi main aisa nahi hone de sakta ek baar aur prayas karke dekhta hun ye bol
Defender jaise hi apna agle spell bolne ko hue koi faayda nahi hoga aap iss kampan ko
nahi rok payenge jaise hi ye awaaz Defender ke kaano me gunji Defender ke chehre par
ek muskurahat naach gayi awaaz ke gunjne ke agle hi second Defender ke saamne ek tez
roshni hui aur uss roshni ke beech me se main Anjali aur Ronit prakat hue

Main:- khade ho jaayiye Defender

Defender:- Lord jis adrishya shakti ne samast bramhaand ko ghere hue thaa akhirkaar
usne aage badhna aarambh kar diya hai maine isse rokne ki bohat koshish ki kintu main
bas kuch pal ke liye hi kaamiyab ho paya kuch der tak rukne ke baad ye mere mantron ko
viphal kar rahi hai

Main:- iska kaaran mere dwara bichaya gaya shield hai wo adrishya shakti mere shield se
chipak usse dhakka dene ki koshish kar rahi hai wo isme kaamiyab toh nahi ho paa rahi
kintu meri shield aur uss nakaratmak shakti ke takrane ki wajah se ye kampan ho rahi hai
boommm abhi koi kuch kehta ki tabhi hamare uttari bhaag se iss dhamake ki awaaz aayi
jise sun Defender aur mere dono dost chonke

Main:- kampan sirf in pahadon me hi nahi ho raha hai balki zamin ke andar bhi ho raha
hai ussi kampan ke fal swaroop yaha se uttari kshetra me jo van hai waha lava fata hai
aap sab shighr waha pahunche aur uss lava ko roken anyatha agar uss laava ne uss van
me moujud vriksho ko chhuatoh pura jungle aag ki chapet me aa jayega meri baat sun
Ronit Anjali aur Defender teeno gayab ho gaye

Main:- ab in vibrations ka kya karun? inhe jad se mitane ke liye mujhe pehle apne shield
ko hatana hoga par uske baad mujhe kuch seconds toh kamse kam chahiye hi honge iss
negative energy ko khatam karne ke liye agar iss dauran ye har taraf faile gayi toh isse
khatam karne ke chakkar me pura Isla khatam ho jayega ye toh acha hai ki ab tak ye jo
kuch bhi ho raha haiye yaha ke logon ke rehwasi ilakon se door ho raha hai warna ab tak
toh pure Isla me hadkamp mach jata

Wahi jungle me:

Ronit:- arreye lava toh badi tezi se aage badh raha hai

Anjali:- haan aisa lag raha hai maano isse koi dhakka de raha hai
Ronit:- aur koi kya iske piche bhi wahi negative energy hogi

Defender:- haanpar ek baat achi hai aur wo ye ki ab tak ye lava jis jagah par hainwaha sirf
chote chote poudhe aur ghaans hai issliye van ko koi khaas haani ab tak nahi pahunchi hai

Anjali:- ye bas kuch samay ki hi baat hai jis tezi aur teevrata se ye lava aage badh raha hai
kuch hi palon me ye iss jungle ke mukhya bhaag yaani ghane area me hoga aur agar aisa
hua toh yaha kuch bhi nahi bachega issliye hume jo bhi karna haiwo turant karna hoga

Ronit:- ek kaam karta hun main iss jagah par baarish karwata hun

Anjali:- idea toh thek hai par utne se kaam nahi hoga saath me kuch aur bhi lagega haan
ek kaam karti hun jo paani girega main usme chakrawat paida karti hun uss chakrawat ki
shakti se baarish ka prabhav aur badh jayega jise wo lava ko apne andar kheench legi

Defender:- jaise hi tum Ronit ke dwara girayi baarish me chakrawat paida karogi aur wo
chakrawat laava se takrayegi toh mujhe pura vishwas hai ki uss laava ke saath saath chal
rahe nakaratmak urja me bhi badlav aayega ho sakta hai ki wo laava ko aniyantrit karde
issliye main uske aas paas ke sabhi jagahon par apni shield bicha dunga isse aniyantrit
hone ke baawjud bhi wo urja kuch kar nahi payegi

Ronit:- haan ye theek rahega lets do it guyz ye bol prachand varsha karoti fiery rain fall ye
spell Ronit ne kaha tha spell ke uccharit hote hi upar aasman me ek tez garjana hui aur
agle hi pal sirf uss area me jahan laava faila hua tha tez baarish hone lagi jaise hi baarish
ne raftar pakdi chakrawat avirbhavati whirlwind appear ye spell Anjali ne kaha tha spell
ke uccharit hote hi Ronit dwara barsayi gayi baarish ke ird gird ek chakrawat ne janm lena
shuru kiya aur kuch hi palon me uss chakrawaat ne ugr yaani intense roop le liya uss
chakrawat ne khudko paani me lapetna shuru kar diya aur dekhte hi dekhte uss paani se
bhare chakrawaat ne pure laava ko khudme sokhna shuru kar diya ab baari thi Defender
ki aur issliye carmikya shieild thats bound with a duty Defender ke spell uccharit karte hi
Anjali dwara banaye gaye chakrawaat ke charo taraf ek shield ban gayi jiska ye matlab tha
ki wo laava aur uss laava se juda hua wo negative energy ab fas chuke the kuch pal tak
bheeshan baarish hoti rahi jis me baras rahe paani ko khudme chipka wo chakrawat laava
ko sametne hue ek jagah par ghumta raha kuch waqt tak ye sab chalta raha aur fir dekhte
hi dekhte wo laava khatam hone laga aur kuch hi palon me uss van me sirf barsaat aur
chakravaat hi tha laava khatam ho chuka tha

Anjali/Ronit:- yesss mantra samaptam spell over Anjali aur Ronit ne ye spell saath bola
jiske uccharit hote hi baarish aur chakrawaat khatam ho gaye
Defender:- bohat khub kafi achi yukti sochi thi tum dono ne

Anjali/Ronit:- dhanyawaad ye bol teeno wapas gayab ho gaye

Back to hero:

angels mere mann hi mann aisa kehte hi kuch angels mere aage prakat hue

Main:- main apne shield ko hatane jaa raha hun jab aisa hoga tab uske piche chhupi
nakaratmak urja tezi se har taraf failne lagegi issliye mere shield ke hatathe hi aap sabko
apni shakti se uss nakaratmak urja ko kuch pal tak roke rakhna hai

Angels:- ji lord angels ko unka kaam samjhakar maine ek pal ke liye apni shield ko dekha
aur agle hi pal kawach pranazyati shield vanish mere spell uccharit karte hi meri shield
gayab ho gayi aur tabhi wo nakartmak shakti jise meri shield ne rok rakha thawo azaad ho
gayi jis wajah se wo har taraf failne lagi par tabhi mere aas paa khade angels ne apne apne
haath aage kiye unke aisa karte hi un sabke haathon se tez white energy ki rays nikalkar
uss negative energy se takrayi par itna kafi nahi tha angels ke chhode gaye rays se wo
negative energy dheere toh hui par ruki nahi aur issliye paryavas yati vibjuti vimukti
complete power release angels ne iss spell ka ek saath uccharan kiya aur unke aisa karte
hi saare angels ke haath ke saath saath unke saare sharir se rays nikalne lagi jo asal me
unki puri urja thi wo saari rays ek saath aage badhte hue unke saamne khade uss negative
energy se takrayi aur aisa hote hi ek saath do chizen hui pehli wo negative enegry ek jagah
par ruk gayi dusri uss negative energy ka kuch bhaag mere angels ke chhode gaye rays se
bandhkar angels ko bhi chhune laga jis wajah se jaise kuch der pehle tak floating
mountains vibrate kar rahe thethek waise hi ab saare angels vibrate karne lage main
samjh chuka tha ki agar maine kuch pal ki bhi deri aur ki toh saare angels khatam ho
jayenge aur issliye shaktiyem vinashate energy destroy jaise hi maine spell bola boomm
ek tez dhamake ke saath wo negative energy ki chaadar blast ho gayi par iske saath ek aur
cheez hui mere saare angels jo ki naa chahte hue bhi uss negative energy se jude hue the
dhamake ka impact un sab par bhi hua dhamaka hote hi wo saare angels piche ki taraf ud
gaye un sabki aankhen band ho chuki thi kisi neerjeev prani ki bhaati dheele ho wo sab
hawa me ludhke hue se tair rahe the aaj mujhe khudpar bohat ghussa aa raha tha main
in sabka lord tha aaj jaise mere aadesh par inhone khudki parwah naa karte hue apna
kartavya nibhaya tha thek waisa hi kuch daayitv mera bhi in sabke prati tha in sabki
suraksha meri zimmedari thi par jo hua usse badla toh nahi jaa sakta tha par haan thek
zaroor kiya jaa sakta tha aur issliye mere haathon se kuch rays nikli jo sidhe jaakar saare
angels se takrayi aur kuch hi palon me nirjeev se pade saare angels thek ho chuke the thek
hote hi mujhe dhayanyawaad kehne ke liye jaise hi wo kuch bolne ko hue

Main:- kuch kehne ki zaroorat nahi hai aapne apna kartavya nibhaya aur maine apna aap
jaa sakte hain mere kehte hi saare angels ek baar mere aage jhuke aur agle hi pal wo sab
gayab ho chuke the jaise hi angels gayab hue thek tabhi Ronit Anjali aur Defender mere
saamne prakat hue

Ronit:- arre waah yaha ki problem bhi khatam ho gayi

Main:- hmm wapas chalte hain Defender se alvida keh hum teeno gayab ho gaye iss baat
se anjaan ki jis samasya ko hum khatam hua samjh rahe the wo bhi hamari hi tarah sirf
gayab hua hai khatam nahi

Place: Lonavla Farm House

kya hua? sab thek ho gaya naa? excitement aur tension ke beech fasi Avantika ne hamare
wapas aate hi humse pucha hi tha ki tabhi mujhe ek zor ka jhatka laga sab thek hai ye
shabd jo mere mouh se bahar aane hi wale the wo wapas mere andar chale gaye aakhen
meri anjaani aashankaon se ghiri dikhne lagi thi wahi in sab se anjaan Anjali aur Ronit

Ronit:- haan ab sab kuch under control hai

Anjali:- ek pal ke liye toh laga tha ki shayad hum kaamiyab nahi honge par hum kaamiyab
hue

Avantika:- mujhe toh aisa nahi lagta

Anjali/Ronit:- matlab? Avantika jo mujhe hi dekhe jaa rahi thi aur saath hi mere chehre ke
badlte bhaA one ko bhi note kar rahi thi usne Ronit aur Anjali ko meri taraf dekhne ka
ishara kiya aur jab in dono ki bhi nazar mujhpar padi toh dono shocked ho gaye

Anjali:- kya hua Vj fir kuch naya hua hai kya?

Main:- naya bhi aur purana bhi

Sab:- matlab

Main:- naya ye ki universe ke har life serving planet par ek saath wo negative energy
activate ho gayi hai jiski wajah se har planet me vibrations shuru ho gaye hai

Anjali:- aur purana?


Main:- Isla ki jis problem ko hum sab khatam samjh wapas aa gaye wo problem sirf gayab
hui thi khatam nahi aur ab wo problem firse wapas aa gayi hai

Anjali/Ronit:- what? par ye kaise ho sakta hai?

Main:- sab kuch ho sakta hai bas tarika maalum hona chahiye aur Asmodeus ne wahi
tarika dhund liya hai

Ronit:- par aisa kaun sa tarika hai jo teri pakad me nahi aa raha hai?

Main:- in sab ke liye abhi waqt nahi hai abhi Defender apni puri shakti lagakar Isla me
dobara fate lava aur baaki jagahon par failne wale uss negative energy ko akele rokne ki
koshish kar rahe hain par wo ye zyada der tak nahi kar payenge tum dono turant unki
madad karne ke liye jaao

Anjali:- par Vj har jagah par jo negative energy faili hui hai tujhe toh pata hai ki wo kiski
hai hum dono milkar bhi shayad uska saamna naa kar payen

Ronit:- aur tune abhi kahanaa ki problem har planet me shuru ho gayi hai toh un sabke
bare me tune kya socha hai?

Main:- har planets par angels pahunch chuke hain par wo bhi tum dono ki hi tarah puri
tarah se samarth nahi hain uss urja ko rokne ke liye

Anjali:- wahi toh main keh rahi hun toh fir sab kaise thek hoga?

Main:- uski chinta tu mat kar iss baar jab tum dono aur saare angels spell bolenge tab tum
sab ki shakti mujhse judi hogi isse tum sabke spells hazar guna tak zyada impactful ho
jayenge par haan kyu ki aisa karne se tum sab meri shaktiyon se direct judoge issliye
tumhe bohat zyada dard hoga

Anjali:- jitna bhi dard ho Vj agar universe ko bachana hai toh hum kuch bhi kar guzrenge

Ronit:- exactly hum dono jaa rahe hain tu apna kaam shuru kar ye bol dono gaayab ho
gaye

Avantika:- kya tum yahi se saare angels ke saath judoge?

Main:- nahi AV iss kriya me meri bohat zyada urja bahar aayegi ye jagah ye jagah kya main
aisa kisi bhi sansaar me nahi kar sakta iske liye mujhe wapas Twisted Dimension me jana
hoga
Avantika:- kya main bhi saath chalun? arre ye toh abhi Avantika ne apni baat kahi hi thi ki
tabhi wo chonk gayi reason is waqt hum dono hamare farm house ke kamre me nahi balki
Magical Dimension me the

Main:- kaam shuru karte hain sambhinatti swah shaktiyen join with my powers jaise hi
maine spell uccharit kiya mere saare sharir se ek saath laakhon carodon rays nikli aur tezi
se saare jeeven deyi grahon ki taraf nikal padi aur jaise hi wo saare rays un planets me
moujud mere dono dostonDefender aur angels ke sharir par padi aahhh ek tez dard ki
leher un sabko feel hone laga par apni dard ki parwah naa karte hue shaktiyem vimukti
power release sabhi ne ek saath iss spell ko uchharit kiya aur aisa karte hi sabhi ke sharir
se ek saath kafi maatra me white energy nikli aur sidhe jaakar uss black energy ke chaadar
se tarkrayi aur agle hi pal do chizen hui pehli wo black energy jo ki lagatar aage badh rahi
thi wo apni jagah par ruk gayi dusri kyu ki iss baar main ne ek saath pure bramhaand me
faille uss black energy par ek saath apni power release ki thi issliye mujhe uss black urja
ke bare me ek nayi jaankaari mili jise jaankar mujhe ek jhatka laga tha aur iss naye jhatke
ki wajah se mere chehre par bhi surprising expressions ne janm liya tha jise Avantika ne
dekh liya

Avantika:- kya hua Vj problem ab bhi thek nahi hui kya?

Main:- problem thek toh nahi hui hai par filhaal ke liye ruk gayi hai par baat kuch aur hai

Avantika:- kya?

Main:- batata hun pehle yaha se chalte hain maine mann hi mann saare angels ko wapas
loutne ko kaha itni zyada maatra me white energy ke takraane ki wajah se filhaal ke liye
kuch der tak wo black energy ruki rehne wali thi aur issi beech mujhe iss problem ka ek
permenant ilaaj dhundana tha issi soch ke saath main Avantika ko lekar gaayab ho gaya
par mujhe kya maalum tha ki jis solution ko main dhund raha hun wo toh mere saamne
hi hai aur kuch hi der me mujhe pata bhi chalne wala hai par jis solution ke milne par
mujhe khush hona chahiye mujhe khabar nahi thi ki wahi solution meri duniya hilane wala
hai

Place: Farm House

Ronit:- bhai jab teri powers hamare sharir se takrayi toh aisa laga maano koi hamare body
parts ko kaat kar alag kar raha hai

Anjali:- haan yaar dard toh dard uske upar dimag ke naso tak me ajeeb se chubhan hone
lagi thi par koi naa kamse kam itni badi tension jo hum sabke sar ke upar naach rahi thi
wo toh filhaal ke liye ruk gayi Anjali aur Ronit apni apni baat kahe jaa rahe the par mera
dhayan toh uss naye jhatke par hi tha jo abhi abhi mujhe laga tha kuch der baad jab mere
khamoshi ke peeche chhupe tension ne in dono ko click kiya toh

Anjali:- kya baat hai Vj tu ab bhi tension me lag raha hai?

Ronit:- tension toh hogi hi naa problem sirf tali hai khatam nahi hui par yaar mujhe pata
hai ki tu koi naa koi soution nikal hi lega

Main:- ussi baat ka toh dar hai

Anjali/Ronit:- kya matlab?

Main:- solution se pehle equation samjh me aana zaroori hai aur jo equation mere saamne
aaya hai uska solution acha toh ho nahi sakta?

Ronit:- bhai kuch samjh me aaye aisa bol

Main:- jab maine apni powers tum sab se jodi aur jaise hi tum sabne spell bol uss negative
energy ko roka tab mujhe kuch dikhayi diya tha

Anjali:- kya dikhayi diya?

Main:- yahi ki wo negative energy hai toh Asmodeus ki par

Anjali:- par kya?

Main:- uss shakti ka shroth badal gaya hai

Ronit:- shakti ka shroth badal gaya hai tu kehna kya chahta hai?

Main:- dekh jaise hum jab kisi ko push karte hain tab push karne wali chiz ko haath se
dhakka dete hain par uss dhakke ko taakat haath nahi balki uss haath ko jodne wale joints
dete hain wahi haath ki shakti ka shroth hote hain thek waise hi jo negative energy iss
waqt pure universe me faili hui hai wo hai toh Asmodeus ki par uska shroth matlab
starting point koi aur hai Asmodeus nahi meri baat sun Avantika ke saath saath Ronit aur
Anjali bhi solid chonke the

Ronit:- matlab Asmodeus ki shakti kisi aur se flow hote hue pure universe me faili hui hai
kaun ho sakta hai? kahi Beelzebub toh nahi

Main:- nopes agar wo hota toh mujhe pata chal chuka hota wo kya koi bhi negative energy
ka dhaarak agar ye kare toh mujhe pata chal jayega aisa karne ke liye Asmodeus ko kisi
aise bande ki zaroorat hai jiske paas meri protection ho apni baat kehte kehte mere dimag
me kuch click hua jise samjh maine apni baat puri ki par meri aakhri baat sun teeno firse
chonke

Anjali:- teri protection matlab?

Main:- barf ke upar barf rakho toh barf nahi pighalta uske liye garmi ki aag ki zaroorat
padti hai issliye hi jo energy har taraf faili hai wo hamare efforts se bas ruk rahi hai khatam
nahi ho rahi agar koi devil ya negative energy ka dhaarak in sabke piche hota toh mere
powers ke un negative urja ko chhute hi wo mar jata aur mujhe pata bhi chal jata par ho
ulta raha hai uss negative energy par meri shaktiyon ka bhi asar nahi ho raha hai aur iska
ek hi reason ho sakta hai aur wo ye ki jo bhi shroth in sabke piche hai wo Asmodeus se
nahi balki mujhse juda hai uske paas meri shield hai jiski wajah se wo negative energy ka
shroth dikh nahi raha

Anjali:- oh my God ye toh bohat khatarnaak baat hai par aakhir aisa kaun hoga jise
Asmodeus ne itne khatarnaak kaam ke liye chuna hoga? pehli baar iss room me aate waqt
mere dimag me kuch aaya tha wahi soch ek baar firse mere dimag me aayi par maine firse
uss soch ko dimag se nikalne ka socha par tabhi mere seene ke beech ek tez roshni hui
jiska sirf ek matlab tha aur wo ye ki waqt aa chuka tha pehli bhavishyawaani ke khulne ka
tez roshni ke beech wo bhavishyawaani theek mere saamne aakar ruk gayi ab bhi uss
charre roopi bhavishyawaani ke upar likha hua tha Angels Sacrifice kuch der tak yunhi gol
gol ghumne ke baad nahi ho sakta tu naav ik ek saath do do naav ka waqt aa gaya hai kisi
ek ke chunaav ka jo tufaan aane ka hai wo har haal me aayega jaise hi bhavishyawaani
khatam hui dhammm main ladkhadate hue neeche gir gaya Anjali aur Ronit ko
bhavishyawaani ka matlab toh samjh me nahi aaya tha par mere yun achanak girne se
dono ko itna andaza zaroor ho gaya tha ki baat jo bhi haiwo unki soch se bhi zyada buri
hai wahi dusri taraf lagatar tezi se beh rahe Avantika ke aansu iss baat ko pramanit kar
rahe the ki meri hi tarah usse bhi bhavishyawaani ka matlab samjh me aa chuka tha par
iss waqt mujhe sambhalne ke liye uska control me rehna zaroori tha par kahi na kahi wo
ye bhi janti thi ki ye possible nahi hai aur hua bhi aisa hi kuch der tak shunya me ghurte
rehne ke baad achanak Asmodeuss ek dahad mere mouh se nikli iss baar meri awaaz itni
zor ki thi ki Avantika ke shield ko uske saamne aana pada mere awaaz se nikli energy se
usse bachane ke liye par Anjali aur Ronit ke upar meri awaaz ki urja ka prabhaav pada
mere cheekhte hi mere charon taraf ek tez hawa ka pravaah nikla jisne Anjali aur Ronit ko
peeche hawa me ucchal diya par dono ne hawa me hi apni apni body ko control kiya aur
floor par utar aaye wahi meri awaaz ki teevrata se pura farm house kaamp gaya tha aisa
laga maano koi bhukamp aaya ho neeche hall me baithe hamare gharwalon ko meri
cheekh kisi dahad ki tarah lagi jise sun sabhi sehem se gaye the wahi mere mouh se apna
naam sun Asmodeus ke chehre par ek smile aa gayi thi

Asmodeus:- aakhir mere bhai ko sach pata chal hi gaya dhadaak abhi Asmodeus ne itna
kaha hi tha ki tabhi kisi ke haath ne uski gardan ko pakda aur agle hi pal Asmodeus ka
body hawa me tairta hua sa saamne diwal se jaakar takraya ye kaam aur kisi ne nahi maine
kiya tha jahan mujhe achanak neeche dekh pehle saare ghar wale shocked hue wahi meri
harkat ko dekh double shocked

Mom:- Vicky ye kya? isse aage mom kuch nahi keh payi reason maine apna haath aage
kar unhe kuch na kehne ka ishara kiya tha par unke chup hone ka reason aur kuch tha aur
wo ye tha ki iss waqt meri aankhen aansuon se bhari hui thi uske upar mere jabde sakhti
se ek dusre se bheenche hue the mera pura sharir ghusse ki adhikta ki wajah se kaamp
raha tha mujhe iss condition me aaj tak kisine bhi nahi dekha tha aur aaj jab mera ye roop
saamne aaya tha toh usse dekh mom ke saath saath sabhi shocked ke maare chup se ho
gaye the wahi girne ke agle hi pal Asmodeus khada ho chuks tha aur abhi bhi uske chehre
par wahi smile thi main uski taraf aage badha mujhe aage badhte dekh dad mujhe rokne
ke liye kuch kehne hi wale the ki tabhi kuch aisa hua ki dad ke saath saath sabke mouh
band aur aankhen fati ki fati reh gayi toh hua ye ki aage badhte hue mere haathon me
meri sword aa gayi thi itna hi nahi main dheere dheere upar hawa me uth gaya tha ab ye
nazara kisi aam insaan ke liye toh naa mumkin hi hai aur khaas kar tab jab ye jo kar raha
hai wo aapka apna beta ho toh aise me haalat toh kharab ho hi jayegi naa

Asmodeus:- waise toh tumhare dwara mujhe iss sword se maara jaa sakta hai par filhal
main nahi mar sakta aur ye toh ab tum bhi jaan hi chuke ho naa bhai

Main:- main tera bhai nahi hun ye bol meri talwar tezi se chali aur agle hi pal nahi ye
cheekh mere saare gharwalon ke mouh se nikal gayi thi reason Asmodeus ka sar uske
dhad se alag hokar neeche gir chuka tha par agle hi pal jo hua usse dekh mere gharwalon
ki aankhen shock se aur badi ho gayi darasal Asmodeus ka sar jo ki uske dhad se alag ho
chuka tha wo agle hi pal wapas uske dhad ke upar jaakar jud gaya tha

Asmodeus:- ye kya bacchon wali harkat kar rahe ho mere bhai mujhe tumse ye ummid
bilkul nahi thi

Main:- aur naahi mujhe tumse ye bol main aage badha aur maine Asmodeus ka gala pakad
usse upar utha diya

Mom:- Vicky ruk jaa beta tujhe meri kasam


Main:- momm mom ki baat sun main itni zorse cheekha ki ek pal ke liye wo dar gayi par
unke chehre par dar dekh mujhe khudpar bohat ghussa aaya mere hatheli ki pakad
Asmodeus ke gale se dheeli ho gayi jise wo neeche zamin me aa gaya par tabhi

Anjali:- Vikram ko toh kasam ne rok liya par hum toh waar kar hi sakte hain naa
vinashayam abjute destroy rays mantra ke uccharit hote hi Anjali aur Ronit ke haathon se
do rays nikli aur Asmodeus ki taraf lapki mere baad Anjali aur Ronit ko yun jaadu karta
dekh mere ghar walon ka shock toh double hona hi tha wahi Asmodeus ne Anjali aur Ronit
ki rays ko rokne ke liye kuch nahi kiya wo rays Asmodeus ko lagi zaroor par un rays ka
uspar koi asar nahi hua in sab se alag main wapas apne ghutno par aa gaya tha apne dono
haathon se apne chehre ko dhak main zor zor se rone laga tha mom dad bhale hi iss waqt
shock me the par mujhe yun rota dekh wo sab bhul meri taraf doude

Mom:- kya hua beta tu ro kyu raha hai? maine kasam di issliye ro raha hai kya? agar meri
wajah se ro raha hai toh please maaf kar de bacha mom ki baat sun mera rona aur badh
gaya tha

Main:- kyu n? mere saath hi kyu? kya bigada hai maine kisika? hamesha wahi toh kiya hai
jo tu chahta tha fir kyu? isse acha toh mujhe hi maar deta tu chataakk mujhe ye thappad
dad ne maara tha

Dad:- kya bakwas kar raha hai tu? kya issi din ke liye paida kiya tha tujhe ki tu marne ki
dua kare? main nahi janta ki kya hua hai? aisi kaun si problem hai jiski wajah se mere sher
bete ki aankhon me aansu aa gaye par reason jo bhi ho tu haar nahi maan sakta suna tune
situation jo bhi ho tu haar nahi maan sakta kuch der tak dad mujhe samjhate rahe wahi
mere aansu toh sukh chuke the main khamosh ho gaya tha dad ko laga ki main normal ho
raha hun par unhe kaun bataye ki jo andar se mar chuka ho wo normal nahi ho sakta wahi
mom ko jab laga ki jo ho raha hai uske bare me wo ab baat kar sakti hain toh

Mom:- beta ab toh bata ki ye sab kya hai? tu Anjali aur Ronit jaadu kar rahe ho? tu isse
maarne par tula hua hai par tune jo iske saath kiya uske baad iska sar wapas aa gaya aur
ye zinda khada hai aakhir ye sab ho kya raha hai? par mom ki baat ka maine koi jawab
nahi diya main ab bhi chup chaap baitha hua tha

Asmodeus:- iska jawab main deta hun par sabse pehle proper introduction hona zaroori
hai ye bol Asmodeus hall ke beech me aakar khada ho gaya Asmodeus ki baat sun mere
mom dad khade hokar baaki ghar walon ke paas chale gaye wahi Anjali Ronit aur Avantika
mere paas aakar khade ho gaye baaki ki hum teeno ki family jo ab bhi halke dare hue the
wo bhi Asmodeus ki baat dhayan sunne lage
Asmodeus:- ye batayiye God ko maante hain aap? Asmodeus ki baat sun sabhi gharwalon
ko ajeeb laga par fir

Dad:- haan maante hain

Asmodeus:- badhiya God ke kul do putra hain jinme se ek aapke saamne khada hai matlab
ki main Asmodeus aur dusra aap sabke saamne baitha hai matlab ki ye Vikram Asmodeus
ne bina koi bhumika baandhe sidhe sapat tarike se apni baat keh di par uski baat sun sabhi
gharwalon ko aur sabse zyada mere mom dad ko shock laga unhe samjh me nahi aa raha
tha ki wo kaise react kare? koi aur waqt aur haalaat hote toh Asmodeus ki baat sabko kori
bakwaas lagti par abhi abhi jo chizen sabne dekhi thi usne sabko Asmodeus ki baat par
yakin karne par majboor kar diya tha

Asmodeus:- yahi sach hai main aapke God ka pehla putra hun ek aisa putra jise uske pitah
ki banayi ek rachna jise manushya kehte hain kabhi bhi pasand nahi thi aur issliye main iss
jati ka samouh naash chahta tha par mere pitah ko iss jati se ya fir ye kahu ki aapki jati se
bohat prem tha unhone mujhe apni soch badalne ko kaha par main nahi maana aur issliye
mujhe unhone khud se door kar diya par unke aisa karne se meri manushyon ke prati
nafrat aur badh gayi aur maine apna khudka ek saamrajya banaya aur jahan pehle main
Gods son ke naam se jana chahta thawahi ab main devils lord ke naam se jana jane laga
Asmodeus ki baat sun mere ghar walon ke mann main halka dar sa panap gaya tha

Asmodeus:- God mujhe maar nahi sakte the kyu ki main unka khudka ansh hun issliye
unhone ek naye ansh ko mere saamne utaarne ki sochi us ansh ko unhone aapke
(Menakshi) kokh me daala aur fal swaroop aapke ghar me dusre parmeshwar putra aur
Lord of Angels ne janm liya ji haan aapke ye suputra sirf aap dono aur God ke bete hi nahi
balki saare angels ke lord hain aur inke ye dono dost inke andar bhi angels ki shakti hai jo
Vikram ne hi inhe di hai jahan kuch der pehle tak Asmodeus ki sachayi jaankar sabhi
gharwale dar rahe thewahi jaise hi sabne meri sachayi jaani toh sabhi ki khushi ka thekana
nahi raha Anjali aur Ronit ke mom dad bhi unke baccho ke bare me jaankar bohat khush
ho gaye the

Mom:- matlab meri kokh se janma mera putra khud parmeshwar ki santaan hai main God
ke putra ki maa hun jahan mom apni khushi zaahir kar rahi thi wahi dad bas chup rehkar
iss khushi ko mehsoos kar rahe the

Asmodeus:- zyada khushi bhi thek nahi hoti pata nahi kis darwaze ghum andar ghus jaye
aur waise bhi ye toh sirf intro tha ab aate hain asal mudde par uss mudde par jiski wajah
se aapke suputr mujhe maarne par amada the aur wo point wo baat ye hai ki filhal pure
bramhaand me kaali shakti ki ek parat si bichi hui hai jo kisi bhi waqt saare planets ko khaa
jayegi aapke bete aur unke dost lagatar uss shakti ko khatam karne ki koshish kar rahe
hain par wo kaamiyab nahi ho paa rahe hain jante hain kyu? kyu ki jis shakti ko ye sab
khatam karne ko koshish kar rahe hain wo shakti mere jeeven se judi hui hai wo tabhi
khatam ho sakti hai jab main khatam ho jaaun par mujhe khatam karne ke liye kisi aur ka
khatam hona zaroori hai Asmodeus ki baat ka matlab kisi ko bhi samjh me nahi aaya aur
ye baat Asmodeus bhi samjh raha tha aur issliye

Asmodeus:- nahi samjh aaya chaliye samjhata hun darasal baat ye hai ki maine apne
jeeven kan ko do logon ke jeeven kano me milakar unhi dono ke andar chhupa diya hai
issliye jis kaali shakti ka chaadar pure bramhaand me faila hua hai usme maine apne baaki
ke jeeven kan daal diye hain ab jab tak un jeeven kano ke shroth ka pata nahi chal jata tab
tak wo kaali shakti ki chaadar hategi nahi aur ab aate hain sabse mazedar baat par jante
hain wo dono kaun hai jinme mere jeeven kan moujud hain? Vikram ke maa baap matlab
aap dono Asmodeus ki baat sun jahan ek taraf sabko ab tak ka sabse bada jhatka laga wahi
main waise hi shunya ko ghurta hua sa baitha raha aur mere saath saath Avantika bhi
normal rahi kyu ki usse bhi bhavishyawaani ke through ye baat pata chal chuki thi

Ronit:- apni bakwas band kar uncle aunty ye jhoot bol raha hai aisa ho hi nahi sakta?
Vikram ne aap sabke aas paas ek shield banayi hui hai jiski wajah se koi bhi negative
energy aap dono tak pahunch hi nahi sakti toh aise me ye aapme apne jeeven kan kaise
inject kar sakta hai

Asmodeus:- tum bewakuf lagte toh nahi fir baat naalayakon ki tarah kyu kar rahe ho?
baaton ko dhayan se sunne ki aadat daalo maine kaha ki maine apne jeeven kan ko do
logon ke jeeven kano me chuppakar unke andar pravesh karaya hai ye dono jeeven kan
Vikram ke maata pitah ke hi hain

Anjali:- aunty aur uncle ke jeeven kan tumhare paas kaise aaye? Anjali ke sawal par
Asmodeus ke chehre par ek muskaan naach gayi

Asmodeus:- wo waqt toh yaad hoga jab tum meri kaid me thi aur Vikram tum tak nahi
pahunh paa raha tha kaaran kya tha aisa hone ka?

Ronit:- tune Vikram se uska ohda cheen liya tha aur uske dimag ko apne kabze me kar liya
tha

Asmodeus:- kaise?

Ronit:- uske dimag me apne khoon ko pahunchakar


Asmodeus:- Vikram ke dimag me apne khoon ko pahunchane ki asli wajah wo nahi thi jo
tum sab samjh rahe the Vikram ke khoon me do do jeeven kan moujud hain ek uske pitah
ka aur dusra uski maa ka mujhe wahi dono jeeven kan chahiye the taaki waqt padne par
uska istemaal kar sakun aur dekho maine istemaal kar liya wo bhi kisi ko bina pata lagne
diye sabko saari sachayi bara aakhirme Asmodeus meri taraf palta

Asmodeus:- Vikram tumhe tumhare sawalon ka jawab bhi mil gaya uss jawab se jo
chunouti saamne aayi tumne wo bhi puri kar li aur saath hi saari aslliyat bhi jaan li aur ab
aakhir me baari hai tumhare faisle ki tumhare paas do vikalp hain pehla ya toh apne maata
pitah ko bacha pure bramhaand me basne wale logon ki kurbaani de do ya fir apne maata
pitah ki kurbaani dekar pure bramhaand ko bacha lo

Ronit:- abbe apni bakwas band kar saale agar tu chaahe bhi naa toh uncle aunty ko koi
nuksaan nahi pahuncha sakta samjha?

Asmodeus:- kisne kaha ki main nuksaan pahunchaunga ye kurbaaniye balidaan itna aasan
nahi hai Vikram ko swayam apne haathon se apne maata pitah ko maarna hoga tab jaakar
kahi pure bramhaand me jo kaali shakti ki chaadar bichi hai aur jo kisi bhi waqt aage badh
sakti hai wo khatam hogi Asmodeus ki baat sun pure kamre me sannata chaa gaya nana
nani maama maami Ronit aur Anjali ke gharwale kisi ko bhi samjh nahi aa raha tha ki wo
sab kaise react kare? aisa hi kuch Ronit aur Anjali bhi feel kar rahe the Avantika kas kar
mera haath pakde hui thi mano keh rahi ho ki tumhara faisla jo bhi rahe main usme
tumhare saath hun sabhi ke mann main negative thoughts the par in sabke beech do log
aise the jinke chehre par smile thi ye dono aur koi nahi mere mom dad the

Dad:- Vicky dad ki awaaz me sirf mere liye pyar tha Asmodeus ki baat sunne ke baad bhi
koi dar nahi dad ki awaaz sun itne der me pehli baar mera sar hila maine mom dad ki taraf
dekha jo mujhe hi dekhte hue muskura rahe the

Dad:- mera beta asal me God ka beta hai itni badi baat itni khushi ki baat aur tu yun udaas
baitha hai pata hai bachpan me jab sab mujhe anath anath kehkar chidhate the mujhe
nicha dikhate the toh main hamesha rota hua God se shikayat karta tha ki mujhe maa
baap ka pyaar kyu nahi diya aur ye shikayat aaj tak thi par ab nahi usne mujhe maa baap
nahi diye par khudka beta de diya isse zyada garv ki baat aur kya ho sakti hai beta tere
bahane se hi sahi kamse kam God mera bhi naam lete honge ye sochkar hi mujhe itni
zyada khushi ho rahi hai ki aur khushi main bardaasht nahi kar paaunga meri zindagi
saarthak ho gayi beta saarthak ho gayi
Mom:- maine God ke putra ko apni kokh se janm diya hai maine toh jeete ji hi moksh paa
liya beta ab ye jeeven rahe ya naa rahe kya fark padta hai

Dad:- teri mom theek keh rahi hai beta aaj tak tune hum dono ko sirf garbhit hi kiya hai
hamari kurbaani dekar iss universe ko bacha ek aakhri baar hume tujhpar proud feel karne
ka mouka de isne abhi kahanaa ki tu Lord of Angels hai toh apne ohde ko samman de beta
nyaaya kar kyu ki nyaaya se badhkar rishte nahi hote

Dad:- agar aaj tune universe ko chhodkar hume chuna toh hum waise bhi mar jayenge
beta itni saari zindagiyon ko mout ke ghaat utaarne ki wajah hum kaise ban sakte hain?

Main:- bas kijiye aap dono aap aisa kuch nahi keh rahe ya fir kahege jo mujhe pehle se
nahi pata Asmodeus tujhe lagta hai ki tune baazi jeet li kyu? nahi jeetna toh door ki baat
hai do do baar haara hai tu ek baar tab jab apne pitah ko sirf God samjh chhod aaya tha
tu aur aaj fir haara tu jab ek manushya ko dad bol uski jaan ka souda kar liya tune jin
manushyon ko chhota aur naakara samjhta aaya hai tu aakhirkaar unhi ka sahara lena
pada naa tujhe aaj ek baar fir tere pitah ko tujhpar sharm aayegi aur mere pitah ko
mujhpar firse garv hoga meri baat sun aur aane wale lamho ke bare me soch waha moujud
sabhi ke aankhon me dard aur ghabrahat ke bhaav aa chuke the sabhi samjh chuke the ki
kya hone wala hai rokna toh sabhi chahte the par sab ye bhi jante the ki agar main ruka
toh kya hoga issliye sab jad se hokar apni apni jagah par khade hue the aakhri baat kehte
hue meri body firse ghusse aur dard ki wajah se kaampne lagi aankhon me paani liye
maine ek baar apne mom dad ko dekha jo muskurate honth aur bheegi palkon ke beech
mujhe garv se dekh rahe the

Main:- I love u mom I love u dad boom boom ek ke baad do dhamake hue aur ek pal pehle
jahan mere mom dad khade the ab waha par bas raakh thi nahiii ye cheekh waha moujud
sabhi ke mouh we nikli ladhkhadate kadmo se chalta hua main aage badha aur
kampkampate haathon se uss raakh ko pakad maine apne chehre par laga liya

Main:- aaa iss cheekh ke saath main neeche gira aur girte hi gayab ho gaya wahi Asmodeus
wo toh pehle hi gaayab ho chuka tha

Planet: Monslickel Place: Out side palace ek mahine baad:

tum logon ki itni himmat ki tum yaha hamare grah me aakar hume hi maarne ki baat karo
in sabse angels ki shakti ki boo aa rahi hai lagta hai in sabko abhi abhi nayi nayi shakti mili
hai jiska abhyas karne ke liye inhe ye jagah sahi lagi hahaha bachon tumhari ye harkat naa
hi sirf haasyapad hai apitu devils aur angels ki sandhi ko todne ka ek anuchit prayas bhi
hai abhi bhi waqt hai lout jaao kyu ki agar ek baar jo yudh aarambh hua toh tum sabki
mout par hi rukega iss waqt Monslickel me Asmodeus ke mahal ke bahar waha ke
rehwaasiyon ke jo ki devils the unke saamne kuch log khade the ye log aur koi nahi balki
Ronit Anjali Akshaant Shaila Mokalsar aur Defender the aur ye sabhi iss waqt bohat zyada
ghusse me the ek mahine pehle jo Asmodeus ne Vikram ke saath kiya thaus harkat ne
Ronit aur Anjali ke mann main aag laga di thi aur wo aag lagatar badhti gayi kyu ki uss din
ke baad se Vikram ko ab tak kisi ne bhi nahi dekha tha wo gayab ho gaya tha aur jo hua
uss bare me jab vrihak waasiyon aur Defender ko pata chala toh unke mann main bhi wahi
aag bhadak uthi jo Anjali aur Ronit ke mann main jal rahi thi in sabko pata tha ki ye
Asmodeus ko harane aur maarne ke kabil nahi hain par fir bhi ye usse jitna ho sake taklif
pahunchana chahte the Vikram ki hi tarah Asmodeus ka bhi uss din ke baad se koi ataa
pata nahi tha wo bhi gayab ho chuka tha ab in sabke paas bas ek hi chaara tha aur wo tha
khud kisi tarah Monslickel pahunchna pichli baar Ronit Vikram ke saath Monslickel aaya
tha uske alawa inme se kisi ne bhi Monslickel nahi dekha tha aur kyu ki Monslickel
Asmodeus ka ghar tha issliye waha tak yunhi sirf soch kar pahuncha nahi jaa sakta tha
reason jaisa ki maine bataya tha ki kisi bhi grah me pahunchne ke liye waha ke grah
binduon ko apne dimag se jodna padta hai tabhi jaakar uss grah ka world door khulta hai
lagbhag har grah ke grah binduon ko apne dimag se jodna aasan hai par Monslickel ki baat
kuch aur hai aur wo issliye kyu ki Asmodeus ne apne grah ko bramhaand ke aise chhor me
banaya tha jo kisi bhul bhaliya ki tarah hai waha tak pahunchne ke ke liye ekdo ya teen
nahi balki saikdon grah binduon se hokar finally uss grah bindu tak pahuncha jaa sakta hai
jo Monslickel ka world door khol de ek baar Vikram ke saath yaha aane ki wajah se iss
planet ke grah binduon ka kuch knowledge Ronit ke paas tha aur waise bhi ab usme bhi
ek angel ki shakti thi Vikram ke gayab hone ke baad usne aur Anjali ne Vikram ko khojne
ki bohat koshish ki par wo kamiyab nahi hue yahi koshish vrihakh waasiyon ke saath saath
Defender tak ne ki par koi parinaam nahi nikla Vikram ko naa dhund paane se in sabka
ghussa aur prabal ho gaya aur issliye in sabne Monslickel me halla bolne ki thaani ek
mahina pura ek mahina laga Ronit ne apne dhayan ko lagatar ek mahine tak kendrit kar
aakhirkaar Monslickel ka pata laga hi liya aur jaise hi Ronit successful hua wo Anjali
Vrihakh waasi aur Defender sabhi yaha ke liye turant kooch kar gaye Monslickel devils ka
grah issliye jaise hi white energy se saraabor Ronit and party ne iss grah par apne kadam
rakhe black energy se bhare hue devils ko un sab ke aane ka pata chal gaya aur agle hi pal
devils ki ek tukdi Ronit and party ke saamne prakat hui aur prakat hote hi un devils ke
pratinidhi ne Ronit and party ko wapas chale jaani ki chetawani di
Ronit:- wapas jane ke liye hum itni door nahi aaye hain ab ya toh tu jiska kutta hai uss
saale Asmodeus ke paas hume lekar chal ya fir tum sab choozo ko maar kar khud ustak
pahunch jayenge

Devil:- tera itna saahas ki tu hamare maha mahim ko naam se pukare ye dussaahas kar
tune apni aur apne sathi yon ki mout sunishchit ahhh kar li hai in bache hue teen shabdo
ko wapas peeche dhakel inki jagah lete hue ek dard bhari karah uss devil ke mouh se nikal
gayi reason isse pehle ki wo devil apni baat puri karta Ronit ke haathon me white energy
se bana ek ball chamak utha aur agle hi pal uss urja gendh ko Ronit ne uss devil par chhod
diya light speed se aage badhte hue wo urja gendh sidhe jaakar uss devil se takraya uss
urja gendh me itni shakti thi ki usne naa sirf uss devil ko uthakar bohat door tak fek diya
jiski wajah se uske mouh se aah bhari karah nikli balki jaise hi wo devil uss urja gendh ke
contact me aaya toh uss energy ball ka impact uss devil ke aaju baaju ke devils ke upar
bhi hua un sabke body par ek strong force padi jis wajah se wo sab bhi kuch door tak
peeche tak udte hue gire wo devil jispar aim lekar Ronit ne waar kiya tha wo toh behosh
ho chuka tha par baaki devils girne ke baad turant khade ho gaye Ronit dwara chhodi gayi
energy ball ke impact ko dekh wo sabhi devils samjh gaye ki jo unke saamne khade hain
wo bohat shakti shaali hain aur issliye karma sarathi prakatam companion appear jaise hi
ek devil ne iss spell ko uccharit kar apne devils saathi yon ka aawaha kiya toh agle hi pal
tez garjana aur dhuen ke beech ek saath hazaron devils prakat hue

Ronit:- aa gayi mandali abhaar vyakt karne tayar ho jaao doston daawat hone wali hai

Sab:- hum tayar hain aur iss daawat me khaana nahi balki ye devils parose jayenge yaha
mere doston ne ye baat kahiwaha saare devils ne ek saath agni ka awaha karte hue apne
apne haath aage kar diye agni ke awaha ki wajah se devils ke haathon me aag se lipti
sword aur spears ki shakal liye agni astra dikhne lage agni asstra ke haathon me chamakte
hi devils ne usse mere doston ke upar chhod diya wahi jaise hi mere doston aur Defender
ne devils ke chhode agni astra ko dekhatoh un sabne bhi apne istemal me lane wale astra
ke bare me soch liya aur jaise hi devils ne agni astra chhoda avaksarati vajra band hinta
water magnet Defender aur mere doston ke mouh se ye spell ek saath uchharit hua aur
aisa hote hi jahan mere dost khade the unke saamne ek bade se golakar liye paani ka
chakra ban gaya aur ussi paani rupi chakra se tarange nikalne lagi ye tarange aur kuch
nahi wahi magnetic energy thi jiska spell mere doston aur Defender ne kaha tha wahi
devils dwara chhoda gaya agni astra aage badhta hua jaise hi uss chakra roopi paani ke
paas pahunchatoh uss paani me ban rahe magnetic tarango ne un agni astron ko khud me
kheenchna shuru kar diya un magnetic tarangon ki energy bohat zyada thi usne kuch hi
palon me saare agni astron ko apne andar kheench liya devils ko laga ki unka pehla waar
khaali gaya hai unhe aisa pratit hua ki mere doston dwara banaya gaya wo paani ka chakra
ek defensive moov tha par yahi wo dhoka khaa gaye jaise hi uss paani numa chakra ne
saare agni astra ko kheench apne andar daala toh uske agle hi pal prasavya shaktiyem
reverse power Defender aur mere doston ne ek naya spell uccharit kiya aur unke aisa
karte hi jitne bhi agni astra uss paani chakra ke andar gaye thewo punah wapas bahar
aaye par iss baar wo astra agni ke roop me nahi balki paani ke roop me bahar nikli the
wahi sword aur spear ki shalak liye wo neer astra tezi se aage badhe kyu ki devils ne aisa
kuch hone ki ummid bilkul hi nahim ki thi issliye wo sab iss waqt asavadhan the jiska
khamiyaja unhe bhugatne pada tezi se aage badhte hue wo neer astra second ke duswe
hisse se bhi kam waqt me sidhe jaakar saamne ki do teen lines me khade saikdon devils
se takraye aur natija un neer astron ne saamne ke do teen lines me khade devils ko beech
se cheer daala aahhh ek maarmik cheekh ke saath saikdon devils ke praan kooch kar
chuke the wahi baaki ke devils apne saathi yon ko yun khatam hote dekh hadbada gaye
the unhe vishwas hi nahi ho raha tha ki yun achanak ek pal me kya se kya ho gaya aur un
sabki ye kuch palon ki hadbadahat un sab par abhi aur bhaari padne wali thi unke saathi
yon ki durdasha ki bare me wo sab soch hi rahe the ki tabhi praan paash life rope Defender
aur mere doston ne iss spell ko uccharit kiya jiske falswaroop ek tez garjana ke beech
Aakash se ek saath saikdon bijli neeche giri ya fir ye kahu ki wo saikdon bijliyan ek saath
saikdon devils par barsi aur aisa hote hi ek saath saikdon devil bijli dwara banayi bandhan
me fas gaye ek saaath bohat si cheekhen hawaon me gunjane lagi jitne bhi devils un bilji
ki rope me bandh gaye the wo sab dard ke maare chatpata rahe the iss waqt un sabko
asahaniya dard ho raha tha par wo sab cheekhne ke alawa aur kuch nahi kar paa rahe the
wahi apne saathi yon par hue iss achanak hamle se ek baar firse baaki ke devils hadbada
gaye par unke saathi yon ki cheekh se un sabki tantra tuti aur wo sabhi unhe bachane ke
liye aage aane ki koshish karne lage koshish issliye kyu ki jin bijliyan numa bandhano ne
unke saathi devils ko khudme lapete hue thaun bijliyon ka power bohat zyada tha jis wajah
se unka asar aas pas ki jagahon par bhi ho raha tha aise me agar devils sidhe apne saathi
yon ke paas jane ki koshish karte toh wo bhi un bandhano ke lapete me aa jaate kuch door
se hi apne saathi yon ko azaad karne ke liye devils spell bolne lage par un ke spells se jo
ray nikal rahi thi usse bhi mere doston ke dwara prajwalit bijliyan beech raaste me hi tod
de rahi thi iss beech kuch der tak asahaniya dard se tadapte rehne ke baad devils raakh
ban kar gayab ho gaye unke marte hi mere doston dwara bola gaya spell bhi khatam ho
gaya wahi kuch hi palon me apne saikdon saathi khone ki wajah se baaki ke devils bohat
krodh me the aur iska badla lene ke liye un sabhi ne ek saath apni shaktiyon ko jodkar
mere doston par prahar karne ki sochi ek hi pal me un sabke haathon se unki urja nikalkar
un sabke beech jama hone lagi devils ke iss moov ko dekh mere dost bhi samjh gaye the
ki iss baar devils ka bola spell bohat ghaatak hone wala hai aur issliye wo bhi apne aap ko
iske liye tayar karne lage wahi ab tak devils ki bohat maatra me urja collect ho chuki thi
jise wo mere doston par chhodne hi wale the ki tabhi ruk jaao har taraf ye awaaz gunj uthi
jise sun ek taraf jahan saare devils ne naa sirf apni energy jise wo mere doston par
chhodne wale the usse wapas kheench li balki sabke sar neeche jhuk gaye wahi dusre
taraf iss awaaz ke kaano me padte hi mere doston ka ghussa aur badh gaya tha in do
samouho ke beech uphan rahe alag alag hhaavnao ke beech ek tez garjana ke saath
Beelzebub prakat hua Beelzebub ko apne saamne dekh

Ronit:- dekho toh sahi kaun aaya hai? saanp ka sapaula beta ab aayega maza aajatu bhi
do do haath kar le tujhe maarkar jab tere iss manhoos sharir ko tere baap ke saamne
phekenge naa tab usse pata chalega ki jab koi apna apne saamne hi dum todta hai toh
kaisa lagta hai? aakhri baat bolte waqt Ronit ka gala bhar sa gaya tha par usne apne
emotions ko control kar liya

Beelzebub:- samjh nahi aata ki tum sabki iss harkat ko tumhari bahaduri kahu ya bewakufi
devil lord ke ghar par khade hokar tum sab unhe hi chunouti de rahe ho tum sab jis taakat
ke bal par itni uddham macha rahe ho naaus taakat ka mere father ke saamne koi aukaad
nahi hai

Anjali:- yahi toh tu galat hai Beelzebub hum yaha apni taakat ki wajah se nahi apne yaar
ki wajah se aaye hain

Beelzebub:- yaar matlab Vikram par kaha hai wo? dikh toh nahi raha

Defender:- hawa bhi kabhi dikhti hai murkh par jab wahi hawa aandhi ka roop dharti hai
toh uske chapete me aani wali chizon ke maadhyam se wo khudke aks ko dikhati hai lord
wahi hawa hain jo har jagah hain par dikhte tabhi hain jab wo aandhi ka roop lete hain
waise toh hum hi tere liye kafi hain par agar uss aandhi ko dekhna hai toh humme se kisi
ko bhi nuksaan pahunchakar dikha fir dekh tamasha tere baap ka banaya ye kaala sansaar
isse ek pal bhi nahi lagega khatam hone me

Beelzebub:- mann toh mera bhi bohat hai ki tum sabko tumhare iss dussahas ki saza dun
par kya karun? mere haath bandhe hain father ne mujhe tum logon ke saath kuch bhi
karne ke liye filhal mana kiya hua hai par main janta hun ki tum sab aise hi toh jaaoge nahi
issliye paapiyas samast shaktiyem kawach prakatam devils complete powers shield
appear isse pehle ki mere dost kuch samjhte Beelzebub ne iss spell ko uccharit kar diya
aur uske aisa karte hi jitne bhi devils waha khade the including Beelzebubun sabke sharir
se ek energy beam nikli aur dekhte hi dekhte saare devils ke saamne un beams ne ek
shield ka roop le liya ye ek bohat hi shaktishali shield tha isse todna mere doston aur
Defender ke bas ka nahi tha wahi achanak Beelzebub ke spell aur usse hue prabhav ko
dekh Defender aur mere dost hadbada gaye par jaldi hi sambhal wo sab iss shield ko todne
ke liye spell bolne hi wale the ki tabhi

Beelzebub:- koi faayda nahi hoga iss shield ko todna tum sab ke bas ka nahi hai fir bhi
maanoge toh nahi issliye jab tak dil kare koshish karte raho aur jab thak jaao toh wapas
ghar lout jana ye bol Beelzebub saare devils ko lekar gaayab ho gaya aur fir hua wahi jo
Beelzebub ne kaha tha Ronit and party lagatar kafi der tak Beelzebub ke banaye shield ko
todne ki koshish karte rahe aur jab unhe ehsaas hua ki wo isme kaamiyab nahi ho payenge
toh mayus ho wo sab wapas earth lout gaye

Planet: Earth Place: Out side office

Akash sir Harpreet sar Mr Jairaj Singh aur unki patni Menakshi Singh ki car accident ke
hadse me hui mout ke baad ab tak aap dono ki hi taraf se ab tak actual me hua kya tha iss
bare me koi statement nahi aayi hai yaha tak ki uss hadse ke baad unke bete Mr Vikram
Jairaj Singh bhi laapata hain itne serious issue par bhi aap aur apki families chuppi saadhi
hui hai aisa kyu? jaise hi Aakash aur Harpreet apne office se bahar nikle gallery me khade
media ke bando ya fir ye kahu ki media ki bheed ne un dono ko gher liya aur dono ke
mouh me mike thoos apni apni baat kehne lage jo farm house me hua tha wo toh duniya
ko bata nahi sakte the issliye Ronit ne Jairaj aur Menakshi ke Clones bana unhe unki car
me daal uss car ko Lonavla ke slippery raston ke side me bani ek khayi me girwa diya tha
jise har taraf ye baat faili ki Jairaj aur Menakshi ki accident me mout ho chuki hai uss din
se lekar aaj tak media wale uss hadse ka pura sach Harpreet aur Akash se janana chahte
the par abhi tak wo isme kaamiyab nahi hue the aur aaj bhi wo sab Akash aur Harpreet ke
office ke bahar unka wait kar rahe the aur jaise hi wo dono bahar nikle toh ye sab pahunch
gaye apne sawalon ke saath wahi jaise hi media ke bande Akash aur Harpreet ke paas
pahunche toh un dono ke body guards ne saare media ko side karne lage media ki side
me hatahthe sekh Akash aur Harpreet jaisa ki ab tak un dono ne kiya tha bina kuch kahe
aage badhne lage par tabhi

1st Reporter:- kahi saari empire apne naam karne ki lalach me Mr Jairaj aur unki patni ki
mout aur saath hi unke bete ke yun achanak lapata hone me aap dono ka hi haath toh
nahi hai yaha uss reporter ke mouh se ye baat nikli waha Akash aur Harpreet ke paon ruk
gaye dono sirf ruke hi nahi balki wapas palaththe hue dono media walon ke paas pahunch
gaye media walon ke paas pahunch dono ki nazar uss reporter par tik gayi jisne abhi abhi
ye ochi baat kahi thi uss reporter ne ye baat Akash aur Harpreet ko bhadkaane ke liye kahi
thi aur ab jab wo dono wapas media ke paas pahunch chuke the toh usse laga ki uska
bhadkana kaamiyab hua narazgi me hi sahiab usse ek chatpati news mil hi jayegi magar

Akash:- tumhare ghar me kaun kaun hai?

Reporter:- ji Akash ke sawal par wo reporter hadbada gaya tha usse ummid nahi thi ki
Akash kuch aisa puchega?

Akash:- character ke saath saath kaan bhi kharab hai kya? maine pucha tumhare ghar me
kaun kaun hai?

Reporter:- ji main mera bhai meri patni aur mera beta

Akash:- hmm bhai kya karta hai tumhara?

Reporter:- ji college main hai abhi

Akash:- arre matlab bada ho gaya hai duniyadari bhi sikh gaya hoga ek kaam karo isse
pehle ki tumhara bhai tumhe aur tumhari biwi ko maarkar tumhare bete ko gayab karde
Police se kehkar shak ke binah par usse andar karwa do

Reporter:- ye kya bakwaas kar rahe hain aap? mera bhai mujhse bohat pyar karta hai? wo
aisa kar hi nahi sakta

Harpreet:- waah bhai apni family par baat aayi toh ghussa aa gaya aur abhi thodi der pehle
jo tu bol raha tha wo kya tha? haathon me mike aur gale me awaaz aur sawal puchne ka
license mil jane par kya kuch bhi bolege tum log hamare dard taklif sabka mazak banaoge
tum sab hamare mouh me mike thoos jo bakwas tum sab karte howaisa hi agar tum sabke
saath ho toh kaisa lagega tum sabko? jo guzre hai wo bhai aur bhabhi the hamare aur jo
gayab hua hai naa wo hamare liye hamare apne bete se badhkar tha jo dard iss waqt
hamari family me ho raha haiusse feel kar sakte ho kya tum sab? kyu statement den hum
tum logon ko ho kaun tum log? kyu ki hun entrepreneur hain public figure hain toh kya
iska ye matlab hai ki hum apne dukhon ki bhi marketing kare?

Akash:- chhod Harpreet ye nahi samjhenge in sabko toh inke kaam ka matlab hi nahi
maalum aise me sahi cheez ki ummid inse kar bhi kaise sakte hain media ka chola odh ye
sab gunda gardi karte hain dusro ki personal lifeunke emotions ka dhandha karte hain aur
aise me jab koi bhadke toh usse hi galat tehrate hain lekin ek baat sun lo be tum sab
dobara agar hamare ya hamari family ke aas paas bhi tum me se koi dikha naatoh ye jo
bodyguards dikh rahe hain naaye abhi tak toh sirf tum sabko rok rahe hainpar fir aaj jaisa
kuch hua naa toh rokenge nahi utha utha kar patkenge tum sab ko ye bol ek baar aur
media walon ko ghur kar dekh Akash aur Harpreet wapas mood apni car me baith nikal
gaye wahi batti padne ke baad reporters bhi ek ek kar chup chap apne apne raaste nikal
gaye

Place: Ahuja's mansion

kya dekh rahi hai babes? firse wahi Jairaj uncle aur Minu aunty ka news toh pichle ek
mahine se national topic ban gaya hai kyu isse baar baar dekh khudko lagatar upset kar
rahi hai tu? Avantika jo iss waqt news me Jairaj aur Minu ke saath hue hadse ke bare me
sun rahi thi achanak uske puche se ya awaaz ubhri jo ki aur kisi ki nahi Shanaya ki thi
Avantika Shanaya se kuch kehti usse pehle hi tv par Vikram ke bare me batane lage Vikram
ke missing statement ke saath uski pic bhi dikhayi jaa rahi thi aur uss pic ko Avantika bade
pyar se dekh rahi thi aur ye baat Shanaya ne bhi note ki

Shanaya:- u miss him? dont u? Shanaya ke sawal par Avantika tv off kar uski taraf palti aur

Avantika:- why do u say so?

Shanaya:- main toh ye bhi bata sakti hun ki u are in love with him

Avantika:- correction we are in love with each other Shanaya ko ab tak Avantika ne apne
aur Vikram ke bare me kuch nahi bataya tha koi aur waqt hota aur Avantika ne ye baat
kahi hoti toh Shanaya ab tak Avantika ke upar kood chuki hoti usne Avantika par apne
sawalon ki jhadi laga di hoti par abhi filhal jo condition thausme Shanaya ne aisa kuch nahi
kiya wo janti thi ki Avantika ka filhal state of mind thek nahi hai

Shanaya:- jis din uncle aur aunty ke saath haadsa hua thaus din tu bhi unhi ke saath thi
naa?

Avantika:- hmm

Shanaya:- issi hadse ke just baad Vj gaayab hua tha naa iss baar Avantika ne kuch nahi
kaha bas haan me spna sar hilaya par in kuch seconds me hi Avantika ke chehre par dard
ke bhaav aane lage the uski aankhon ke saamne wahi soch se pare manzar chalne laga tha
jab Vikram ko apne mom dad par khud killing ray chhodna pada tha wo aatma tak ko
chalni karne wali Vikram ki rudaan usse apne kaano me sunayi dene lagi thi jise Vikram ne
gayab hone se pehle zaahir kiya tha Avantika ko pata hi nahi chala ki wo sab yaad aate hi
kaise achanak apne aap uski aankhon se paani nikalne laga Shanaya ko bhi laga ki usne
Avantika se galat waqt par galat sawal puch liya hai aur issliye

Shanaya:- sorry babes mera intension tujhe hurt karne ka nahi tha maine toh ye sawal bas
issliye pucha tha taaki ye jaan sakun ki jane se pehle shayad Vikram ne kuch aisa kaha ho
jise pata lagaya jaa sake ki wo kaha hai?

Avantika:- wo mere dil me hai aur mere liye itna hi kafi hai aur raha sawal uske yun gayab
hone ka toh wo gayab nahi hua haijo hua uss jhatke se ubharne ke liye usse kuch time
chahiyeissliye bas kuch waqt ke liye wo akela rehna chahta hai yaha rehta toh jo media
circus chaalu hai usme usse bhi ye sab dhakel dete uska dard kam hone ki jagah aur badh
jata aise me wo in sabse door hi rahe wahi thek hai ye bol apne chehre ko dhone ke liye
Avantika wash room jane ke liye uthi

Shanaya:- tune jawab nahi diya do u miss him? Shanaya ke sawal ko sun Avantika palti aur

Avantika:- jawab toh de diya tha par tu samjhi nahi maine kahanaa ki Vj mere dil me hai
aur itna hi kafi hai janti hai Vj mujhe kis naam se bulata hai? AV A matlab Avantika aur V
matlab Vikram jab naam alag nahi hai toh fir hum dono bhala kaise juda ho sakte hain?
main Vj me hun aur Vj mujhme jo mujhme samaya hai usse kaise miss karun? haan ye
baat zaroor hai ki physically wo mere paas nahi hai par saath hone ke liye paas rehne ki
zaroorat nahi padti thek waise hi jaise God se judne ke liye unke saamne jane ki nahi bas
unhe mehsoos karne ki zaroorat hoti hai aur waise bhi ishq ka toh dusra naam hi khuda
hai ibadat ki zaroorat haiwo toh main kar hi rahi hun samjhi duffer muskurate hue apni
baat khatam kar Avantika palti aur washroom ki taraf badh gayi wahi Avantika ke wash
room me ghusne ke baad

Shanaya:- ishq ka ek aur naam bhi hai Vikram Avantika

Place: Some where in Universe

putr antariksh ke ek aise andhere kone me jahan roshni ki lesh maatra bhi sambhavana
nahi haiwaha main chupchaap baitha hua tha aaj karib ek mahine ho gaye the mujhe yaha
aaye hue yaha aane ke baad maine angels aur baaki har kisi se khud ko kaat saa liya tha
koi agar chaahe bhi toh bhi mujhe dhund nahi sakta tha waise toh andhera aksar logon
ko darata hai par mere liye ye andhera ek dost ki tarah tha jiske aagosh me main pure
bramhaand ki nazro se chhup gaya tha par aaj ek mahine baad iss andhkar se uski
pehchaan chhinane ke liye achanak ek aisi tez roshni chamki maano ek saath hazaron
surya roshan ho gaye hon aur jo roshni achanak uday hui thi usme ek aisi urja thi jo pure
bramhaand ko ek pal me 1000 baar khatam karne ki taakat rakhti thi khair uss aseemeet
urja se bhari roshni ne jaise hi mere chehre ko chuatoh har taraf putra naam ki dhwani
gunj uthi ye awaaz aur kisi ki nahi God ki thi jise sunkar mere chehre par ek fiki si muskaan
naach gayi bina kuch kahe apni jagah par khada ho main dusri taraf palat gaya

God:- kya baat hai putra pehli baar main tumhare saamne hun aur tumne mujhse mouh
mod liya kya apne pitah ki taraf dekho bhi nahi

Main:- mere pitah ka naam Jairaj Singh hai

God:- maine kab inkaar kiya ye toh satya hai par ek satya aur bhi hai aur wo ye ki tum
mere bhi putr ho par main dekh raha hun ki hamesha satya ki raah par chalne wale mere
putra ne iss satya ko ab tak maana nahi hai

Main:- satya ke kayi chehre hote hain jo jis chiz ko jaise dekhta haiuske liye wahi chiz uska
satya ban jati hai

God:- is aadhaar par tumhara satya kya hai putra?

Main:- yahi ki main ek aam insaan tha jise uski insaniyat chhinkar usse bhagwan ke jaisa
darja milne laga jiski ek hi zimmedari thi aur wo ye thi ki usse ache se apni shiksha puri
karni thi aur jab wo shiksha puri hoti toh usse apne pitah ka kaam sambhalna tha ek
sadharan si zindagi jisme wo hota uske maata pitah hote uski priyasi hoti uske dost hote
aur bas dekhte hi dekhte zindagi kat jati

God:- tum jis satya ki baat kar rahe ho naa putra wo maatra ek vaham ke adhaar par tika
hua hai chalo main tumhari hi kahi baaton se iss vaham ko door karta hun tumne kaha ki
tumse tumhari insaaniyat chheenkar bhagwan jaisa darja milne laga putra bhagwan ko
bhagwaan banane ka aadhaar hi insaniyat hai iss ehsaas ka prarambh hi parmeshwar se
hota hai tumse tumhari insaaniyat cheeni nahi gayi balki ishwariya shaktiyon ke vardaan
swaroop tumhe iss bhavna ko ek naye charam par pahunchane ka mouka mila apne maara
pitah ke upar bramhaand ko rakh tumne iss bhavna ka udaharan bhi diya aur rahi baat
tumhari sadharan jeeven bitane kiapni shikska purn kar apne pitah ka kaarya bhaar
sabhalne ki toh putrtum maano ya naa maano tum ho toh mere hi putra sadharan toh
tum apne baalya kaal se hi nahi the aur mere putra hone ki wajah se jo shiskha tumne
grahan ki hai wo toh tumhe karni hi thi aur ab jo tum kar rahe howo sirf mera uttar
adhikari hi kar sakta hai tumhari saari maang sahi haibas tum ye nahi dekh paa rahe ki ye
saari maang pehle hi puri ho chuki hai God ki baat puri hone ke baad bhi jab main chup
raha toh
God:- har tark ka vitark rakhne wala mera putra aaj khamosh hai ab aisa toh ho nahi sakta
ki tumhare paas meri baaton ka jawab naa ho

Main:- jab do soch do dishaon me bhaag rahe hontoh tark vitark ka koi matlab nahi reh
jata

God:- grahon ka gol hona kuch sikhata hai putr aur wo ye ki bhale hi do log alag alag disha
me bhaagenunhe kitna hi vishwaas ho ki wo ek dusre se door ho rahe hain kintu aakhir
me wo dono gol ghumte hue ek dusre se milte hi hain thek waise hi do alag alag soch ka
alag alag disha me jane ka ye arth nahi ki unme vaartalaap nahi ho sakta bas nazariye ki
baat hai khairtum baat nahi karna chahte toh koi baat nahi par main tumhe kuch dikhana
chahta hun kamse kam dekh toh sakte hi haina God ke iss statement ke agle hi pal mere
har taraf kuch drishya dikhne lage

(note: jo drishya abhi God Vikram ko dikhayengewo 100% genuine hai ye kahani bhale hi
kaalpanik hai par abhi jo bhi bataya jayega wo hamare hi samaaj me ghatne wali saachi
par ghinouni ghatna hai)

Pehla drishya:

God:- iss chal chitra ki ghatna ko dekho putr ye Pratap garh ki ghatna hai ye jo 6 saal ka
baalak dekh rahe ho naadin ke ujale me hi kuch dakaiton ne chori karne ke pashchat iss
maasoom ke maata pitah ki goli maarkar hatya kar di thi

Dusra drishya:

God:- iss drishya me jo ghatna dikh rahi hai putra isme ek 12 saal ke maasoom bache ko
kuch jihadiyon ne nirmamta ke saath goli maar di iske maata pitah inse apne bacche ko
chhodne ki guhaar lagate rahe par inke hriday me uss guhaar se koi daya nahi jaagi

Teesra drishya:

iss ghatna ke bare me kya kahoge putra? insan devils se kayi guna zyada khatarnaak
hainye drishya iss baat ko saabit karta hai ek maasum bachi ke saath ghrinit kaarya karne
ke baad iski aankhen aur sharir ke ang ko nikal diya gaya haiwaniyat ki aisi ghatna jiski
kalpana tak nahi ki jaa saktiusse haqiqat me anjaam diya gaya hai God ke dikhaye pehle
do drishya dekh maine badi mushkil se apne aansu roke the par aakhri drishya ke aate hi
wo aansu ruk nahi paye ayr bahar nikal pade wahi saare drishya dikhne ke baad wo chal
chitra band ho chuka tha

God:- kuch kehna nahi chahoge putr? apne aap ko control me laa
Main:- har sikke ke do pehlu hote hain

God:- jo horaha hai wo ussi dusre pehlu ki hi wajah se toh ho raha hai tumhara safar apne
gantavya par pahunchne wala hai putra samay aa gaya hai ye bol God gayab ho gaye aur
uske agle hi pal main bhi gayab ho chuka tha

Planet: ******* Place: ********

Lord aap antariskh ke uss andhere kone se nikal mere safar ko uski manzil tak pahunchane
ka waqt aa gaya tha aur issliye main sidhe ek aisi jagah pahuncha jahan pahunchne ka
waqt bhi chuka tha mujhe apne saamne dekh saamne wale ko shock laga tha mere
samman me jhuke uss bande ko utha maine kuch kaha aur kuch kiya

Unknown:- chalen?

Main:- pehle jo kaha hai wo toh karo aur waise bhi wo jis jagah par hai wo jagah abhi
chuppi hui hai ek baar main usse dhund lun fir tumhe bulaunga tab tak jo kaha hai uspar
apna dhayan kendrit karo

Unknown:- ji Lord main palta aur

Main:- ab iss khel ko khatam karte hain Asmodeus main aa raha hun God se baat hone ke
baad jab main ek dusri jagah pahuncha toh waha se rukhsat hone se pehle hi mere mann
ke andar hi meri dusri bhavishwaani ne khud ko ujagar kiya tha aur jiska matlab main achi
tarah se samjh gaya tha jo kaha gaya thausse hona hi tha aur iss bare me main sirf wahi
kar sakta tha jo har kisi ke liye sahi hota khair bhavishwaani samjh aage kya aur kaise
karna haiin sab baaton ko dimag me baithaye main apni jaan se milne ke liye gayab ho
gaya

Planet: Earth Place: Ahuja's Mansion

jo khayal me doud raha ho jab wo khud saamne aa jaye toh khayal ko aaraam de dena
chahiye Avantika jo apne bed par peeth ke bal leth aanken band kar apne hi kisi khayal
me khoyi hui thi jaise hi uske kaano me ye awaaz padi toh uski aankhen jhat se khul gayi
ek pal ke liye uski dil ki dhakan badhi aur ussi dhadakte dil ko sambhalte sambhalte wo
turant uth baithi aur jaise hi uski nazro ne saamne khade shaksh ka didaar kiyatoh ek
mahine se chayi uske chehre ki udaasi jaise ek second me hi gayab ho gayi jin aankhon me
viraniyan tair rahi thi unhi aankhon me achanak hi chamak naachne lagi uska wo sharir jo
ek hi jagah par pada pada alsa sa gaya thausme achanak kisi athelete jaisi furthi aa gayi
aur ye sab issliye hua kyu ki uske saamne uske khubsoorat chehre ko nihaarta hua main
jo khada tha mujhe apne saamne dekh Avantika jhat se apne bed se uchal si gayi aur agle
hi second wo mere baahon me thi uski baahon ki jakad mere charon taraf itni sakht si ho
rakhi thi maano wo mujhe apne andar sama lena chahti ho mere seene par uska sar tha
waise toh mera dil wo khud thi par iss waqt meri dhadkan ke upar apne chehre ko tika
usse nikalne wali dhak dhak ki awaaz ko meri AV sirf sun nahi balki puri tarah se mehsoos
kar rahi thi darasal uss dhak dhak ki awaaz se wo iss baat ko confirm kar lena chah rahi thi
ki main sach me uske saamne hun sirf ek mahina hi door raha tha main usse par jis kisi ne
bhi apni zindagi me pyar ko mehsoos kiya hai wo ye achi tarah se janta hoga ki jiske chehre
ko dekhe bina ek din nahi katatajab wo ek mahine se aapki nazro se gayab ho usse dekhna
toh door jab aap uski awaaz tak naa sun payen hontoh ek aisa adhurapan mehsoos hota
hai jo bande ko jeete ji maarne ke liye kafi hota hai shayad meri dhadkano ko sun AV khud
ko zinda kar rahi thi main janta tha ki AV iss ek mahine me ek baar bhi dhang se nahi soyi
hai saari raatein uski karwatein badalte hue hi nikli hai 24 ghante sirf bechaini hi mehsoos
ki hai meri AV ne aur ab jab main uske saamne hun aur wo mujhse lipti hui haiuska chehra
jo mere seene ko apna Aashiyana banaye hue hai aur uske aankhen jo iss waqt aansuon
se bhare hue hainaur jo halka halka chalakte hue mere shirt ko bhigoye jaa rahe hai mujhe
apni AV ke iss ehsaas me ek ajeeb sa sukoon mil raha tha maine usse chup karane ki
koshish nahi ki kyu ki iss waqt jo aansu uske aankhon se bahar nikal rahe the unka bahar
nikal jana zaroori tha kyu ki ye aansu apne saath uss dard ko bhi bahar kheench kar fek
rahe the jise meri AV guzri thi kuch waqt tak mujhse lipte hue yunhi chup chaap aansu
bahane ke baad jab AV ka mann kuch halka hua toh apne khubsoorat chehre ko halka
utha wo mujhe dekhne lagi darasal wo meri aankhon me uss dard ko khoj rahi thi jise usne
ek mahine pehle dekha tha par iss waqt meri aankhon me sirf wo khud thi toh aur kuch
usse milta bhi toh kaise?

Main:- meri aankhon me kuch aur kyu dhund rahi hai tu? meri baat ya fir ye kahu ki itne
arse baad mere mouh se shayri sun AV ke chehre par meri rooh ko sukoon pahunchane
wali smile aa gayi par usne kuch kahanahi bas mujhe ek tak dekhti rahi main janta tha ki
uske mann main kya sawal chal raha hai aur issliye

Main:- main thek hun AV meri baat sun ek baar fir se AV muskura uthi par iss baar uss
muskurahat me sirf khushi nahi balki santushti bhi thi

Avantika:- I missed u bas itna hi kaha iss pagli ne aur firse meri baahon me simat gayi

Main:- tumhe mujhe khone ka dar lag raha tha?

Avantika:- tum kahi khudko hi naa kho baithois baat ka dar tha
Main:- tera chehra ghumta rehta hai meri aankhon ke saamne aise me bhala hum khudko
khoyen bhi toh kaise?

Avantika:- main janti hun tum bohat strong ho par kamse kam mere saamne toh apne
dard ko mat chupaao jitna isse apne andar rakho ge utna ghuto ge aur main tumhe ek
baar rote hue dekh sakti hun par andar hi andar tadapte hue nahi dekh sakti

Main:- jo tadap thi wo tumhe dekh kar kam ho chuki hai AV aur jo bachi hai usse waqt
khatam kar dega par tumhari tadap ka kya? ye kaise khatam hogi?

Avantika:- meri tadap?

Main:- tumhari aankhen mujhe tumhare dil ka haal bata deti hain AV aur unhi aankhon
me iss waqt tumhare dil ki tadap dikh rahi hai iss tadap ko khatam karo AV jitni der ye
tumhare andar rahegi utni der tak main bechain rahunga

Avantika:- tumhare mom dad mere bhi mom dad the Vj kaise taklif naa ho? aur main
tumhare jaisi strong bhi nahi hun jo khud ko normal dikhaun?

Main:- tum mujhse kayi guna zyada strong ho AV tumhari taklif bhi jaayaz hai par filhal ye
waqt uss taklif ko nazarandaz kar jo nayi takilfen saamne hain un par concentrate karne
ka hai Avantika ab tak meri baahon me simatkar hi baatein kar rahi thi par ab jab usse
ehsaas hua ki main wapas working mode me aa gaya tha toh wo mujhse alag hui aur

Avantika:- nayi taklifen

Main:- hmm jo mom dad ke saath hua wo kisi aur ke saath bhi hone wala hai meri baat
sun Avantika ko jhatka laga

Avantika:- kya? kiske saath?

Main:- ****** mere mouh se naam sun Avantika ko ek baar firse jhatka laga tha

Avantika:- par wo kyu?

Main:- khud socho samjh jaaogi meri baat sun Avantika uss naam ko jise maine liya tha
apne dimag me rakh sochne lagi aur kuch der tak chintan karte rehne ke baad uske
maathe ke bal kam hone lage jiska matlab tha ki usse apne sawal ka jawab mil chuka tha

Avantika:- oh shit iss taraf toh mera dhayan gaya hi nahi tha

Main:- ab toh chala gaya

Avantika:- haan par iska solution kya nikala hai tumne?


Main:- jo hoga wahi solution bhi hai

Avantika:- matlab? Avantika ke sawal par main kuch der tak usse dekhta raha par fir ek
lambi saans kheench

Main:- mera haath pakdo jahan ye bol maine apna ek haath aage kar diya wahi mere yun
achanak aisa kehne se Avantika ke maathe par ek baar firse sawalon ke bal aaye par wo
janti thi ki main kuch bhi yunhi nahi kahunga aur issliye usne apne ek haath aage badha
mera haath thaam liya par tabhi ek dhundli si ray Avantika aur mere sharir se nikli aur fir
gaayab ho gayi

Main:- tumhe kuch batana hai

Avantika:- kaho ek pal ke pause ke baad mere lab hile aur main Avantika ko kuch baatein
batane laga jo main bata raha tha wo baat thodi lambi thi kuch 10 minute baad jab maine
apni baat puri ki

Main:- issliye maine kaha tha ki jo hone wala hai wahi solution hai samjhi par meri baaton
ko Avantika pura nahi samjh payi thi aur saath hi uske kuch aur sawal bhi the jo usne
mujhse pucha aur maine un sawalon ka jawab diya khair apne mann main uth rahe saare
sawalon ke jawab milne ke baad

Avantika:- toh ab Monslickel

Main:- haan par usse pehle ghar chalte hain tumhari hi tarah saare ghar wale bhi mere
gaayab hone se tension me hain aur waise bhi Ronit aur Anjali bhi toh hamare iss aakhri
ladhayi ke saathi hain

Avantika:- sirf Ronit aur Anjali Defender Mokalsar Akshaant aur Shaila bhi toh iss aakhri
safar ke raahi hain

Main:- wo sab raahi already apne pehle stop par pahunch chuke hain aur ab hume bhi
nikalna chahiye

Avantika:- chalen fir Avantika ke kehte hi hum dono gayab ho chuke the aur jaisa ki
hamesha hua hai hamare gayab hote hi Avantika ke room me uski Clone aa chuki thi

Place: Kavita's mansion

in media walon ne toh naak me dum kar kar rakha hai jahan dekho waha pahunch jaate
hain upar se hamare bacche bhi hamesha bahar hi rehte hain jiske piche ye jaa rahe hain
kahi wo inhe bhi
inhe bhi kya mom? Ronit ki mom ne apni baat adhuri hi rakhi thi par tabhi unke kaano me
uss baat ko puri karne ki ek awaaz padi jo ki aur kisiki nahi Ronit ki hi thi Monslickel me
Beelzebub dwara roke jane ke baad vrihakh vaasi apne ghar ki tarafDefender apne ghar
ki taraf aur Ronit aur Anjali yaha Kavitas mansion me pahunche iss waqt yaha par lagbhag
sabhi moujud the mere nana nani bhi ek mahine pehle ghate hadse ke baad nana nani
toot se gaye the wo Mumbai me rehna nahi chahte the aur issliye Dhawalgrah loutna
chahte the par Ronit unke iss faisle par naraz ho gaya aur usne apni kasam dekar un dono
ko yahi apne ghar par rakh liya wahi mom dad ke jane ke baad unke itne bade empire ko
sambhalna bhi tha haalaki Akash uncle aur Harpreet uncle toh the hi par un dono ne mere
ghar se mere maama ji ko apne saath milana sahi samjha issliye maama ji aur maami ji
apne bete aur Aashi ke saath mere hi ghar par hain hall me baithe sabhi baatein kar rahe
the aur tabhi news me Harpreet uncle aur Akash uncle ki media se hui behes ko dikhaya
jaa raha tha jise dekh Kavita aunty ne apni pratikriya di jise Ronit ne sun liya tha

R/Mom:- aa gaye mere bacche pata nahi kaha kaha ghumte rehte ho tum dono chalo
haath mouh dho lo main tum dono ke liye kuch khaane ke liye laati hun

Ronit:- pehle apni baat puri kijiye mom inhe bhi kya? Ronit ne ye baat halki narazgi me
kahi thi jise sabhi ne bhaamp liya tha

R/Mom:- beta main toh bas yahi keh rahi thi ki

Ronit:- kahi Asmodeus hamare saath bhi wahi naa kare jo usne uncle aur aunty ke saath
kiya tha

Anjali:- arre yaaraunty ko bas hamari fikr ho rahi hai aur kuch nahi

Ronit:- nahi chahiye mujhe aisi fikr jo mujhe uss Asmodeus ke peeche jane se roke jo guzre
hainwo mere liye aap dono se kam nahi the aur jo laapata haiuse bhale hi aap yunhi kehne
ke liye beta kehte honge par wo mera bhai hai

R/Mom:- ye tu kya bole jaa raha hai? Vicky mere liye tujhse kam nahi hai

Ronit:- agar aisa hota toh aap sirf meri hi fikr nahi karti par aap usse koi darja de na den
par main uske liye kisi se bhi bhid jaaunga fir chaahe natija kuch bhi ho Ronit ki baat sun
uske pitah ke chehre par apne bete ke liye ek garv bhari smile aa gayi waise aunty bhi
mujhse bohat pyar karti hain aur jo unhone kaha thawo bhi apni jagah par sahi hi tha ab
sabko pata tha ki Asmodeus asal me hai kaun toh aise me apne bete ki fikr toh banti hi hai
par jaisa ki hamesha hota haiRonit bhai sahab chizon ko sirf ek hi angle se dekhte hain aur
jab dusra angle samjh me nahi aaye toh daana paani lekar chadh jaate hain saamne wale
par aur abhi bhi wahi ho raha tha

R/Mom:- beta mere kehne ka wo matlab rehne dijiye aunty ye nahi samjhega aunty ki
baat puri hoti usse pehle hi hall ke entrance se ye awaaz gunji jise sun sabhi ke chehre uss
taraf chale gaye aur waha khade shaksh ko dekh sabhi ke murjhaye chehre ek pal me hi
khil chuke the aur in khile hue chehro me sabse zyada khila hua chehra tha Ronit aur Anjali
ka

Ronit:- bhai ye bol Ronit daudta hua aage badha aur mere paas pahunch jhat se mere gale
lag gaya

Ronit:- saale kaha gaayab ho gaya tha tu hum dono ne tujhe khojne ki kitni koshish ki par
tu hume dikha hi nahi

Main:- ab toh aa gaya hun naa ab chhod bhi saalewarna shak ke binah par ek saath do do
break ups ho jayenge Ronit ke haththe hi Anjali mere gale lag gayi ab tak baaki saare ghar
wale bhi hamare paas pahunch chuke the Anjali ke hathne ke baad main ek ek kar sabse
mila waise bhaavuk toh sabhi the par sabse zyada emotional iss waqt naanu aur nani the
main jaise hi dono ke pair chune ko jhuka toh dono ne hi mujhe jhukne se pehle hi wapas
upar utha gale laga liya tha

Main:- main maafi ke kabil toh nahi par fir bhi really sorry nani naanu meri hi wajah se aaj
aapke bache aapke saath nahi hain meri baat sun mere dono gaalon ko apne haathon me
thaam

Nana ji:- ek pal ke liye bhi sorry feel mat kar beta jo hua usme teri koi galti nahi hai wo sirf
shaitan ki karni thi aur jo faisla tune liye usse tune meri chhaati garv se aur fulaadi hai
Jairaj hamesha sach hi kehta tha ki uske bete jaisa duniya dusra koi nahi duniya me hi kya
tere jaisa toh pure universe me hi koi nahi hoga nana nani mujhse naraz nahi the isse
zyada mujhe aur kuch nahi chahiye the kuch der tak sabhi mujhe kisi bacche ki tarah
dulaarte rahe par fir

Main:- ab mujhe jana hoga Asmodeus ke saath ye jo mere saare khel hain unko khatam
karne ka waqt aa gaya hai Kavita aunty Neha aunty Akash uncle Harpreet uncle ab toh
aap sab bhi jante hain ki Ronit aur Anjali dono ke hi paas angels ki shakti hai par phir bhi
agar aap sab nahi chahege toh ye dono mere saath nahi jayenge meri baat sun Ronit ne
kuch kehna chaaha par maine usse haath upar kar kuch bhi kehne se rok diya wahi meri
baat sun
R/Mom:- betahum kehne ke liye hi tujhe apna beta nahi bolte balki dil se tujhe apna beta
maante bhi hain

A/Mom:- haan Vicky jitna hak hamara apne bacchon par hai usse zyada toh toh tum teeno
ka ek dusre par hai

R/Dad:- jis din tune iss ladhayi me utarne ka faisla kiya tha naaussi din se ye lkadhayi sirf
tere akele ki nahi balki tum teeno ki ho chuki thi

A/Dad:- haan beta tune aaj tak har competion jeeta hai aur apne saath saath in dono mo
bhi jeetwaya hai aaj hum chaahte hain ki jab tu ek baar fir jeete toh iss jeet me ye dono
bhi tere saath hon

Naanu:- beta jab baat paap aur punya ke beech ki ladhayi ki honatoh haar aur jeetye lafz
hi istemaal me nahi aane chahiye kyu ki jo bhi sach kapunya ka saath deta hai wo toh
pehle hi jeet chuka hota hai

Nani ji:- main ye toh nahi janti ki kya hoga par itna zaroor pata hai ki koi bhi cheez mere
pote ko jhuka nahi payegi waqt ke hissab se hum chalte hain par aaj waqt mere pote ke
hissab se chalega sabki baat sun unse Aashirwaad le hum sab apne next destination me
jane ke liye ek dusre ke kareeb aaye hi the ki

Sab:- bas itna yaad rakhna ki ya toh tum sab ek saath wapas aaoge ya fir koi nahi aayega
ghar walon ki baat sun hum sabke chehre par muskurahat aa gayi aur agle hi pal hum
teeno gayab ho chuke the

Place: In between Isla & Warriors World

kya baat hai sab yahi hain arre Avni tu yaha pehle se kaise? ghar se gayab ho hum teeno
Isla aur Warriors World ke beech antariksh me pahunche jahan pehle se hi Defender
Akshaant Shaila aur Mokalsar khade the aur unke saath khadi thi meri aVjise yaha pehle
se dekh Ronit aur Anjali shocked hue the

Avantika:- hmm ghar jane se pehle hi Vj ne in sabko yaha par bula liya tha aur fir mujhe
bhi direct yahi bhej diya actually Vj nahi chahta tha ki tum sab ke gharwale ye dekhen ki
main bhi tum sabke saath jaa rahi hun unki nazar me toh tum sabke paas hi super natural
powers hain par main ek normal human being hun toh aise me wo mujhe tum logon ke
saath jane nahi dete
Anjali:- Vj tu Avantika ke bare me ghar me kyu nahi bata deta jaise sab ab ye jante hain ki
tu God ka beta hai waise hi jab wo ye janenge ki God ne hi Avantika ko teri shakti banakar
bheja haitoh wo bohat khush ho jaate

Main:- in ek mahine me sirf tum dono ko hi dukh nahi pahuncha hai tum dono ke mom
dad mere nana nani maama maami sabhi bohat bure daur se guzre hain aur ye mat bhoolo
ki hum teeno ki freindship se purani friendship hum teeno ke mom dad ki hai aise me AV
ke bare me batana thek nahi hai

Ronit:- haan yaar ye bhi hai khair chhodo aaj nahi toh kal tum dono ke bare me sabko sach
pata chal hi jana hai toh uske bare me baat karke faida nahi abhi ka main sawal toh ye hai
ki hume toh Monslickel jana hai fir hum yaha kyu aaye hain?

Main:- aakhri daav se nipatne ki taiyaari meri baat sun sabhi chonke

Sab:- aakhri daav matlab?

Main:- arre yaaron aakhri daav hai abhi se kaise bataun? abhi ke liye itna jaan lo ki mujhe
tum sabki aur saath hi in sabke shield ke kano ki zaroorat hai

Ronit:- inki kinki? oye teri apne sawal ko puchte puchte Ronit peeche ghuma aur peeche
mudte hi wo shocked reh gaya sirf wahi nahi mere baaki ke frndz aur Defender bhi
shocked the reason un sabke peeche the three messengers aur hazaron ki taadad me
angels khade hue the jahan mujhe dekh wo sab neeche jhuk gaye wahi Gods messengers
ko dekh Defender aur mere friends unke samman me jhuk gaye

Main:- khade ho jaaiye iss waqt hum Isla aur Warriors World ke beech khade hain
Warriors World ke odridge mountain me moujud chattan ke andar kisi zamane me meri
white energy ke kan the wahi Isla me Fountain of Light ka waas hai inhi dono kaarano se
Courious ke baad Isla aur Warriors World pure bramhaand me sabse zyada white energy
ke dhaarak hain aur issliye hi aap sabko ek saath bulane ke liye maine iss jagah ko chuna
har angel ke paas apni ek shield hoti hai ek aisi shield jise koi negative energy bhedh nahi
sakti mujhe aapse aapki ussi shield ka kuch hissa chahiye

Angels:- jaisa aap kahe Lord Ronit mujhse meri maang ko lekar sawal karna chahta tha par
angels ke awaaz aur unki baat sun usne bhi kuch na puchne ki sochi aur agle hi pal Gods
messenger sangels aur mere doston ne apne apne dil ke upar haath rakh apni aakhen
band ki aur tabhi un sabhi ke seene ke upar ek tez roshni chamki aur dekhte hi dekhte wo
roshni numa shield un sabke seene se hoti hui bahar aakar ek jagah par ruk gayi un urja
roopi shield ko agar door se koi dekhe toh usse aisa lagta maano taare timtima rahe hon
chamakte kamal ke phool ki shakal liye saare shield apni apni jagah par chamak rahe the
jaise hi sabhi angels ke shield ke ansh bahar aaye toh nivasati samast graham simante
reside at all planets edge mere spell ke uchharit karte hi saare shield ke ansh unverse k
har living planet ke atmosphere ke edge me jaakar ruk gaye aur issike saath mere aakhri
daav ka astra maine chhod diya tha ab bas uska target ko lagna baaki tha

Main:- aapke sharir se nikli aapke shield ka ansh iss waqt kaha hai kya aap usse mehsoos
kar paa rahe hain?

Sab:- ji Lord

Main:- jab samay aayega tab aapko apne apne shield ke ansh ko kaam me laana hoga ham
jahan khade hain yaha par moujud to shields me aapko apni apni urja deni hogi

Sab:- ji Lord

Main:- aap sab jaa sakte hain mere kehte hi sabhi ek baar firse mere aage jhuke aur gayab
ho gaye

Ronit:- bhai ab toh bata de ki aakhir tu kis cheez ki planning kiye baitha hai?

Main:- sabr rakh mere bhai sab pata chal jayega filhaal tum sab wo jaan lo jo tum sabka
abhi janana zaroori hai iske baad maine sabhi ko kuch baatein batayi jise sun Defender
aur mere doston ka dimag kharab ho gaya

Main:- jo hua usse andaza laga lo ki ye kitna zaroori hai

Shaila:- par

Main:- nahi Shaila kuch chizen hokar rehti hain unhe roka nahi jaa sakta

Defender:- Lord agar isse roka nahi jaa sakta toh kamse kam mujhe itni ijazat den ki uska
ant main karun?

Main:- main ijazat de bhi dun tab bhi aap usse nahi maar sakte aap kya main bhi usse nahi
maar sakta meri baat sun sabhi buri tarah se chonke

Sab:- kya? par kyu?

Main:- kyu ki fir maine unhe apni baat kehne ka reason bataya jise sun un sabke chehre
murjha gaye

Shaila:- matlab uska kuch nahi ho sakta


Main:- maine aisa toh nahi kaha ek baar firse meri baat sun sab ckownke the

Sab:- matlab?

Main:- matlab ye ki fir maine sabko kuch bataya jise sun sabhi khush ho gaye

Ronit:- ye hui naa baat ab aaya tu purane form me maa kasam ab aayega maza

Anjali:- haan aur ab zyada deri naa karte hue chalte hain apni mazil ki taraf Monslickel

Main:- hmm agle hi pal mere sharir se ek roshni nikli jiski aad me hum sab gaayab ho
chuke the

Planet: Monslickel Place: Outside Asmodeus Palace

boom ek tez dhamake ke saath un devils ki kaali aatma unki jism se kooch kar gayi toh
hua ye ki jaise hi hum aathon yaha Monslickel me Asmodeus ke mehel ke bahar pahunche
toh hum sab ki ore khaas kar meri urja ka abhaas yaha ke rehwaasi devils ne mehsoos kar
li aur agle hi pal wo hamare saamne pahucnh gaye mujhe apne saamne dekh waise toh
wo sab kafi ghabra gaye the par uss dar ko dikha wo Asmodeus ke gunahgaar toh ho nahi
sakte the issliye apne dar par kaabu kar wo hamari taraf doude par isse pehle ki wo kuch
kadam bhi aage badh paateek tez dhamaka hua jiski chapet me saikdon devils aa chuke
the

Ronit:- ye hui naa baat chalo andar jane se pehle in sabko nipta dete hain

Main:- nahi jane dete hain inko

Ronit:- kya? par kyu? bhale hamare nahi par ye sab bhi kisi na kisi ke rone ki wajah zaroor
honge

Main:- insaan ke rone ki wajah wo khud hai Ronit ye devils nahi inke vichar tab tak kisi
insaan par haawi nahi hote jab tak wo khud galat raah par naa chalna chahta ho khair inhe
jane dene ki wajah ye nahi kuch aur hai jo baad me pata chal jayega abhi ke liye inke jana
zaroori hai as usual meri baat ka matlab toh koi samjha nahi par itna zaroor samjh gaye ki
kuch na kuch logic zaroor hoga meri baaton me issliye

Ronit:- thek hai fir jane dete hain

Main:- jane kya dete hain dekh sabhi devils bhaag chuke hain meri baat sun jab sabki nazar
har taraf ghumi toh sabko wo jagah puri tarah se viraan lagi jiska matlab tha ki apne saathi
yon ko yun ek second me marta dekh baaki ke devils bhaag chuke the khair har tarf nazar
ghumane ke baad hum sab Asmodeus ke mahal ke andar jane ke liye chal pade

Anjali:- Vj agar tu chahta toh hume sidhe mehel ke andar enter kara sakta tha par tune
hume mehel ke bahar prakat karwaya ye yunhi toh ho nahi sakta haina Anjali ki baat sun
main muskura diya

Main:- hmm mehel ke andar koi tab tak nahi jaa sakta jab tak Asmodeus khud naa bulaye
issliye maine hum sabko mehel ke bahar hi prakat karwaya taaki devils hum sabko dekh
saken

Akshaant:- par kyu?

Main:- taaki wo sab bhi waha pahunch saken jahan Asmodeus hai

Ronit:- matlab mehel ke andar

Main:- nopes Asmodeus Monslickel me nahi hai

Sab:- kya?

Main:- hmm khud dekh lo ab tak hum mehel ke andar pahunch chuke the aur mere kehte
hi sabhi idhar udhar dekhne lage Avantika ko chhod sabke paas divya drishti thi jiski
madad se wo mehel ka chappa chappa dekh paa rahe the par har taraf dekhne ke baad
bhi jab kisiko naa toh Asmodeus dikha aur naahi jab kisine uski energy mehsoos ki toh

Mokalsar:- ye Asmodeus aakhir kaha chala gaya?

Ronit:- zaroor kal ke hamare attack ke baad wo yaha se gayab ho gaya hoga

Main:- nahi kal jab tum sab yaha aaye the tab bhi Asmodeus yaha nahi tha

Anjali:- shit ab kya kare ge?

Shaila:- hamari hi galti hai kal jab uska beta hamare saamne thaagar hum usse kisi tarah
bandi bana lete toh hum Asmodeus tak zaroor pahunch jaate

Main:- pehli baat toh aisa hota nahi aur iska reason main tum sabko pehle hi bata chuka
hun aur dusri baat hum ab bhi Asmodeus tak zaroor pahunchenge

Shaila:- par kaise?

Defender:- jab Lord saath hain toh har cheez sambhav hai
Main:- hmm aur jante ho Asmodeus ke thekane par pahunchne ko sambhav kisne banaya
hai?

Sab:- kisne?

Main:- tum sabne meri baat sun sabhi chonke

Ronit:- humne par kaise?

Main:- kal tum sab yaha kaise pahunche the?

Ronit:- bhai tere gaayab hone ke baad se hi main iss planet ke grah binduon ko samjhne
ki koshish me laga hua tha aur kal main iss kaam me successful hua aur jaise hi mere dimag
me iss jagah ke grah bindu aaye hum sab yaha pahunch gaye

Main:- wo grah bindu tere dimag me khud nahi aaye the balki maine daale the ek baar
firse sabko meri baat sun jhatka laga

Ronit:- kya bol raha hai bhai? tune daalepar tune toh khudko hum sabse kaat liya tha naa

Main:- maine tum sabko khud tak pahunchne se rok diya tha par main tum sabko lagatar
dekh raha tha aur kal jab mujhe laga ki mere loutne ka samay aa gaya hai toh maine tere
dimag me Monslickel ke grah bindu bhej diye

Ronit:- par kyu? tu khud bhi toh yaha aa sakta tha naa

Main:- aa toh sakta tha par agar main aata toh Beelzebub kabhi bhi saamne nahi aata par
main janta tha ki agar tum sab yaha aao toh Beelzebub bekhouf hokar saamne aayega

Anjali:- haan ye toh sach hai ki Beelzebub tere saamne kabhi bhi nahi aata par sawal toh
ye hai naa ki tu ye sab chahta hi kyu tha? tera maksad kya tha?

Main:- maksad tha nahi hai aur wahi hai jiske liye hum yaha aaye hain Asmodeus ka
saamna jiske liye uske saamne aana zaroori hai yaha aane se pehle maine Ronit ke dimag
me sirf iss planet ke grah bindu hi nahi chhode the balki ek adrishya ray se bhi tum sabke
sharir ko dhak diya tha ye ray ek kism ki rassi thi jise Beelzebub ko mujhe bandhana tha
aur jaise hi Beelzebub tum sabke saamne aaye aur tum sabke saamne Beelzebub ke shield
bichane se pahle hi uss ray ne tum sabke sharir se nikal Beelzebub ke sharir ko lapet liya

Anjali:- wow aur hume iske bare me pata bhi nahi chala

Main:- aur naahi Beelzebub ko shield bicha Beelzebub sidha yaha mehel ke sabha me
pahuncha tha aur yahi se wo gayab hua tha iss waqt pure universe ke kisi bhi prakashit
jagah par Beelzebub kahi bhi nahi hai iska matlab hai ki wo bhi wahi hai jahan iss waqt
Asmodeus hai

Ronit:- iska matlab Beelzebub se lipta ray bhi uske saath Asmodeus ka paas hoga right

Main:- nahi jahan tak mera andaza haiAsmodeus jis bhi jagah par hai wo ek mayavi duniya
hai jise Asmodeus ne hi racha hai issliye wo ray waha tak nahi pahunch sakti

Shaila:- toh fir uss ray se Beelzebub ko baandhne ka kya faayda hua? hamari manzil toh
hume ab bhi nahi maalum

Main:- manzil par pahunchne ke liye manzil ke bare me nahi balki uss tak le jane wale
raaste ke bare me pata hona chahiye

Sab:- matlab

Main:- matlab ye apni baat keh maine apne haath failaye mere aisa karte hi mere dono
haathon se kuch ray nikal har taraf failne lagi ye search rays thi jo kisi ko dhund rahi thi
aur kuch hi palon me un rays ko unki manzil mil gayi

Ronit:- arre ye roshni kaisi?

Anjali:- aur ye Asmodeus ke throne se kyu aa rahi hai

Main:- khud hi dekh lo mere bolte hi uss chamakti roshni ke beech ek khaali jagah ban
gayi jahan ek chalchitra chalne laga jise dekh sabhi chonke

Anjali:- arre ye toh Beelzebub hai

Main:- hmm aur jo scene tum sab dekh rahe ho wo kal ka hai aur ussi waqt ka hai jab
Beelzebub apne pitah se milne ke liye gayab hua tha saamne scene ko dekhte hue maine
apni baat kahi aur isse pehle ki koi kuch kehtakuch aisa hua ki sabhi ek baar firse sabhi
shocked ho gaye reason jo scene chal raha tha usme Beelzebub hamare saamne moujud
Asmodeus ki throne me baithta hai aur kuch kehta hai jiske uccharit hote hi uss throne se
ek roshni nikalti hai aur jab wo roshni kam hoti hai tab Beelzebub gayab ho chuka hota
hai

Akshaant:- arre ye toh gayab ho gaya iska matlab hai

Sab:- ye throne hi uss jagah tak pahunchne ka raasta hai

Main:- ji haan yahi hai wo raasta jo sidhe hume hamari manzil tak pahunchayegi
Ronit:- bhai ab toh clearly bata ki ye sab kaise hua? I mean Beelzebub ne kya aur kaise
kiyaye hum kaise dekh paye?

Main:- ussi ray se jisne kal Beelzebub ko baandha tha tum sab se niaptne ke baad
Beelzebub yaha aaya tha aur uske saath saath mera ray bhi yaha pahuncha wo ray darasal
ek drsihti urja thi jo Beelzebub ki har gatividhi ko note kar rahi thi aur jab tak Beelzebub
yaha rahausne kya kya kiya wo sab uss ray ne record kiya Beelzebub toh gayab ho gaya
par ye ray invisible mode me yahi reh gayi aur abhi jo ray mere haathon se nikli thi wo
rays kal wali rays ke saath milkar wahi pahunchi jahan gayab hone se pehle Beelzebub
aakhri baar ruka tha aur usne jo jo kiya wo kal wali drishti rays ne hum sabko abhi dikhaya
jise hume pata chal gaya ki Asmodeus hai kahan?

Ronit:- bhai jab jab lagta hai ki tere saare paitre samjh me aane lage haintu kuch aisa karta
hai jo pure dimag ko ghuma deta hai

Main:- hahaha taarif baad me kar liyo filhal apni manzil ki taraf badhen

Sab:- bilkul hum sab aage badhe aur thek Asmodeus ki raj gadhi ke saamne jaakar khade
ho gaye

Main:- Defender aapko kahi aur jana hoga meri baat sun Defender ke chehre par kuch
asahajta ke bhaav ubhre jinka ubharna normal tha

Main:- taklif deh hai par zaroori hai aur koi raasta nahi hai meri baat sun kuch palon ki
khamoshi ke baad Defender ke chehre par sakhti ke bhaav ubhre aur

Defender:- jaisa aap kahe Lord main apna kaam khatam kar yahi se aapke paas pahunch
jaaunga

Main:- aapko dobara yaha aane ki zaroorat nahi padegi jahan hum jaa rahe hain wo tab
tak hi chuppi hui hai jab tak main waha nahi pahunch jata ek baar main waha pahunch
jaaun fir main aapko kahi se bhi waha sidhe bula lunga aap bas apna kaam khatam kar
mujhe yaad kijiyega agle hi pal aap mere saamne honge

Defender:- ji Lord ijazat den ye bol Defender gayab ho gaye unke gayab hote hi main jaise
hi palta toh dekha ki sabhi ek saath Asmodeus ki raaj gadhi par baithe hue hain darsal
Asmodeus ki raaj gadhi ka size bohat bada tha jisme 10 bande bhi ek saath baith sakte the
shayad isiiye kyu ki ye sirf ek raj gadhi nahi balki ek gupt maarg bhi tha khair main bhi
sabke saath jaakar raj gadhi par baith gaya aur agle hi pal maine wo kaha jise keh
Beelzebub gayab hua tha parallel world toh ek tez roshni hum sab ke ird gird chamki jisne
hume khudme kheech iss sard ko khudme lapete jagah par laakar khada kar diya

Main:- ye ek mayavi jagah hai iski rachna Asmodeus ne ki hai par pata hai sabse mazedaar
baat kya hai?

Sab:- kya?

Main:- hum jis jagah par iss waqt khade hain ye ek behtarin maaya dwara Monslickel ke
andar hi banaya gaya hai meri baat sun sabhi ek baar firse shocked ho gaye

Anjali:- oh toh issi wajah se Asmodeus aur Beelzebub teri nazaro me nahi aa paa rahe the

Main:- haan par ab Asmodeus ko bhi main mehsoos kar raha hun aur Beelzebub ko bhi

Ronit:- badhiya toh ab lage haathon ye bhi bata de bhai ki hum kis aur badhen?

Main:- sidhe saamne jo gufa dikh rahi hai naawahi hamari manzil hai maine saamne ungli
kar ye baat kahi meri ungli ki seedh me humse kuch to km door ek gufa thi jiske saamne
filhal andhera tha par mere uss taraf ungli dikhate hi wo jagah prakashit ho uthi

Shaila:- arre waah toh der kis baat ki chalen

Anjali:- ek minute Shaila hume jaldi nahi karni chahiye kya pata hamare swagat ke liye
Asmodeus ne kuch jaal bichaya ho

Main:- jo aasani se bhampa jaa sake aisa jaal Asmodeus kabhi nahi bunta fikr mat karo
aage koi jaal nahi hai hum nishchint hokar aage badh sakte hain apni baat keh maine hum
sabko hawa me utha liya aur agle hi pal hum sab uss gufa ki taraf ud chale kuch hi palon
me hum uss gufa ke dwar jke saamne the

Ronit:- yaar gufa ke entrance par toh pathar hai

Anjali:- Vj andar khatra ho sakta hai

Main:- dekh lete hain bhangam break mere spell uccharit karte hi mere haathon se ek
moti si ray nikal sidhe gufa ke mouhane par rakhe pathar par padi aur agle hi pal wo
patthar chur chur ho chuka tha patthar ke tutane aur uske chur chur hone ki wajah se jo
dhua sa uth gaya tha uske haththe hi hum sabne andar jane ke liye apne apne kadam
badha diye aur wow kya magic hai ye Ronit ke alfaaz the reason andar ka nazara hi alag
tha jo gufa bahar se choti si dikh rahi thi wo andar se bohat zyada badi thi itni badi ki uska
anth hi nahi dikh raha tha pure gufa me tez roshni thi par uss roshni ka koi shroth nazar
nahi aa raha tha hum yahi sab dekh hi rahe the ki swagat hai mere bhai ek mahina hi toh
hua hai hum dono ki aakhri mulakat ko par fir bhi najane kyu mera mann tumse juda ho
vichlit ho gaya tha par ye galat baat hai aapne bas father ke saath hi samay bitaya mere
saath nahi ek ke baad ek do awaazen uss gufa me gunj uthi jisme se ek Asmodeus ki thi
aur dusri Beelzebub ki awaazein sun jahan ek taraf mere dost shocked hue wahi mere
chehre par muskurahat naach uthi mere doston ke shocked hone ki wajah ye thi ki unhe
awaaz toh sunayi de rahi thi par koi dikh nahi raha tha aur rahi meri baattoh mujhe kisi
ko dekhne ke liye aankhon ki zaroorat nahi padti par in dono ko saamne toh laana hi tha
aur issliye

Main:- bina saamne aaye uchit swagat nahi hota Asmodeus jab mehmaan saamne hain
toh mezbaan ko bhi saamne aana hota hai

Asmodeus:- ab main apne chhote bhai ki khwahish bhi naa puri karun toh bade bhai hone
ka kya faiyda? jaise hi Asmodeus ki awaaz aur baat puri hui wo chamakdaar gufa kuch aur
roshan ho gayi tez roshniyon ke beech Asmodeus aur Beelzebub prakat hue par ye kya?
unke prakat hote hi main toh shaant raha par mere doston ko ek aur shock laga reason is
waqt hamare saamne ek Asmodeus aur ek Beelzebub nahi balki 10 Asmodeus aur 10
Beelzebub khade the

Asmodeus:- jo tum dekh rahe hoye meri nahi Beelzebub ki zidh ka natija hai ye dekhna
chahta hai ki tumhare bare me jo main hamesha isse batata hun ki Vikram har paheli ka
hal bata sakta hai wo sahi hai ya nahi

Beelzebub:- haan lord main bhi toh dekhun ki jiski taarif mere father karte nahi thakte wo
asal me hain kitne paani me hum sabme se asli Beelzebub aur Asmodeus kaun hai bujo
toh jane aur haan aapko hum dono me se asli Beelzebub aur asli Asmodeus ko
pehchaanane ka sirf ek ek mouka milega aur agar aap nakamiyab rahe toh ye parallel
world apne aap gayab ho jayega aur saath hi gaayab ho jayenge hum dono aur aap hume
dobara dhund bhi nahi payenge ye jo baatein ho rahi thi wo pure 10 Beelzebub aur 10
Asmodeus ke mouh se ek saath nikal rahi thi

Main:- pehli baat chahe kitne hi planets ke andar planets bana Asmodeus usme chhup
jaye main usse dhund hi lunga aur dusri baat Asmodeus ka toh samjh me aata hai par
Beelzebub tune khud ko itna saamarth yawaan kab se samjhna shuru kar diya jo tune meri
yogyata ko parakhne ki sochi bewakuf tujhe pehchanne ke liye mujhe kisi mouke ki
zaroorat hi nahi ye bol maine bas ek chutki bajayi aur agle hi pal ahhhh asli Beelzebub jo
left corner me khada tha wo ek jhatke me hawa me utha aur sidhe jaakar gufe ke pathrili
diwar se takrate hue niche gira jiski wajah se uske mouh se aah nikal gayi par girne ke agle
hi pal wo ek jhatke me khada ho gaya Beelzebub khada toh ho gaya tha par uske aankhon
me iss waqt ghor vismay ke bhaav hai aur unhi vismay bhari aankhon se wo meri taraf
dekh raha tha

Main:- abbe bewakuf tujhe kya laga ki shield lagane se tu bach jayega tu ek kaali shakti ka
dhaarak hai aur jo white energy ke kan tere andar hai main unka waaris hun teri ek shakti
ki badbu aur dusre ki mehek mujhse chhup nahi sakti meri baat khatam hone ke baad bhi
Beelzebub chup hi raha khair ab baari thi uske pita ji ki

Asmodeus:- ab zara hume bhi pehchaaniye

Main:- Asmodeus tera sthar bhi dheere dheere neeche girne laga hai nahi toh itni
bachkani harkat tu kabhi na karta khairab kar hi diya hai toh yahi sahi waise ek baat bata
tujhe ye toh pata hi hai naa ki main kaun hun? meri shakti ka shroth kya hai? aur mera
asli ghar jo ki kabhi tera bhi ghar hua karta tha wo kya hai? meri baat par dason Asmodeus
ne bas haan me gardan hilayi

Main:- chal aaj tujhe bhi tere ghar ka ehsaas karwaate hain isse pehle ki wo dason
Asmodeus kuch samjhte maine apne dono haath upar kiye aur mere aisa karte hi gufa ke
andar un dason Asmodeus ke upar ek chota sa aasman khul gaya aur agle hi pal uss
maayavi aasman par heaven ka gate dikhne laga jo ek jhatke me khul gaya aur aisa hote
hi heaven ki divinity se bhari roshni dason Asmodeus par padi aur jaise hi aisa hua original
Asmodeus jiske andar ab bhi white energy thi usse chhod baaki ke uske Clones ek jhatke
me raakh ho gaye par tabhi gufa ke ek hisse me kuch hua jise maine note kiye par naa toh
maine uss aur dekha aur naa hi chehre par koi expressions laaye wahi apne Clones ko
marte dekh

Asmodeus:- adhbhudh mere bhai adbhudh par afsos kaash aisi chaturta tune pehle dikayi
hoti toh shayad aaj tere maa baap boom boom boom ek ke baad teen dhamake hue aur
in dhamako ka shroth mere haath the Asmodeus ki baat puri hone se pehle hi mere
haathon se ek energy ray nikli aur sidhe jaakar Asmodeus se takrayi aisa hote hi wo door
jaakar gira aur isse pehle ki wo uthatha maine uspar ek aur energy ray chhodi jiske usse
takraate hi wo ek bar firse zamin se hi upar uthata hua thoda aur door jaakar gira wahi
apne pitah par yun aakraman hote dekh Beelzebub harkat me aaya aur usne mujhpar
aakraman karne ki sochi par isse pehle ki wo kuch kar paatamere haathon se ek aur energy
ray nikli jo sidhe jaakar usse takrayi apne pitah ki tulna Beelzebub do guna doori par jaakar
gira iss dauran do cheezen aur hui pehli wahi jise maine abhi thodi der pehle mehsoos
kiya tha aur dusri gufa me hazaron ki taadad me devils invisible mode me khade the jo
mere Asmodeus par prahar karte hi visible ho gaye the

Ronit:- Vj tu Asmodeus ko sambhal main aur Anjali Beelzebub se nipatthe hain Mokalsar
Shaila Akshaant tum teeno in devils ki toli ko sambhalo ye bol jahan ek taraf Ronit aur
Anjali Beelzebub ki taraf lapke wahi dusri taraf vrihakh waasi devils ki toli par toot pade
ek saath kayi saare energy rays ke saath wo teeno devils ki sena par aakraman karne lage
in sabko dekh maine jab saamne dekha toh

Asmodeus:- dhayan atti awashayk hai mere bhai boom issi awaaz ke saath main udta hua
piche jaa gira par girte hi main khada ho chuka tha Asmodeus jisne mujhpar pehla
succeesful waar kiya thawo mujhe muskurata hua dekh raha tha mere khade hote hi

Asmodeus:- shuru kare?

Main:- pehle aap? mere bolte hi karzam taanite vajrati multiply force and hit Asmodeus
ke spell uccharit karte hi uske aas paas ek invisible force ne janm liya jiski shakti lagatar
badhti hi jaa rahi thi aur jaise hi Asmodeus ne apna haath meri taraf kiyaus invisible force
ne raftar pakdi aur tezi se meri taraf badhi mujhe aisa lag raha tha maano koi pahad meri
taraf badh raha ho par main apni jagah par khada hi raha aur jaise hi maine uss invisible
force ko apne paas mehsoos kiya maine apne haath ko muthi ki shakal de ek punch
saamne ki taraf maara aur boom ek tez dhamaka hua jisme ek saath do cheezen hui pehli
mere mutthi ke uss invisible force se takrate hi wo force ek dhamake ke saath khatam ho
gayi aur dusri uss impact ka asar mujhpar bhi hua main ek baar firse udta hua piche jaa
gira par agle hi pal main wapas khada ho chuka tha jahan main aur Asmodeus ek dusre ko
ghur rahe the wahi dohgaaji naa suffocate Beelzebub ne jaise hi ye spell uccharit kiyatoh
uske agle hi pal ek invisible shakti ne Ronit aur Anjali ke gale ko jakad sa liya aur lagatar
uss shakti ka pressure bahdhne laga mantra khandita spell break Anjali aur Ronit dono ke
mouh se jaise hi ye spell niklawo invible shakti jisne un dono ka gala dabaya thawo gayab
ho gayi ye dekh Beelzebub shocked hua aur tabhi shweth shaktiyem aaghaatam white
energy attack rakht sancharam jakdam karoti blood flow stopper pehla spell Anjali ne
kaha tha aur dusra Ronit ne pehle spell ke prabhav se Anjali ke haathon white energy ka
ek bohat shaktishali ray nikla aur sidhe jaakar Beelzebub se takraya iss white energy me
itni shakti thi ki Beelzebub udte hue door toh gira hi par uske baad bhi iss energy ke
prabhav ki wajah se uska body jhatke khaane laga aur Beelzebub ne jaise hi spell ko kaatne
ke liye spell bolne ki sochi toh ussi pal Ronit ke bole spell ne apna kaam kar diya ek ray
Ronit ke haathon se nikal sidhe Beelzebub se takrayi aur aisa hote hi kuch palon ke liye
Beelzebub ke ragion me behta khoon ek jagah jakad sa gaya usse aisa laga maano uski
saanse ruk rahi hai wo kuch bhi karne ke layak nahi bacha tha dheere dheere uski tadap
aur badhne lagi aur jab aisa lagne laga ki ab Beelzebub nahi bach payega tabhi boom ek
dhamake ke saath Anjali aur Ronit ka spell nishkriya ho gaya aur aisa hote hi Beelzebub
uth kar khada ho gaya

Beelzebub:- hahaha tumhe kya laga ki tum dono mujhe maar sakte ho murkhoasambhav
hai ye Beelzebub ki baat ka Ronit aur Anjali ne kuch jawab nahi diya aur apne agle waar
ke liye tayar ho gaye wahi vrihakh waasi buri tarah se saare devils ki haalat bigadne me
lage hue the teeno hi jalagni aur bijli ka istemaal kar saare devils ko pathkani diye jaa rahe
the iss waqt Shaila hawa me uthi hui paani ko ek vikraal roop diye saare devils par chhod
rahi thi wahi Akshaant ussi paani me bijli daal sabhi devils ko jhatka de raha tha aur in
dono ke viprit Mokalsar sabhi devils ke upar agni varsha karne me laga hua tha wahi in
dono tukdiyon se alag main aur Asmodeus ek dusre ki shaktiyon ko aankne me lage hue
the main janta tha ki Asmodeus ka agla waar ghaatak hoga par main ready tha shaktiyen
vibhajit karoti power distribute Asmodeus ke spell bolte hi uski saari shaktiyon ne khudko
usse alag kar mujhe charon taraf se gher liya kuch hi palon ki baat thi fir Asmodeus ki ye
shaktiyan mere upar ek saath attack karne wali thi aur issliye supra gupta suna anthi book
cover maine apne seene ke upar haath rakh iss spell ko uccharit kiya aur mere aisa karte
hi mere andar jo supragupta book thi uski energy ne mere saare body ko cover kar liya
aur tabhi Asmodeus ki saari shaktyion ne mere upar ek saath hamla kar diya aur jaise hi
wo shaktiyan mujhse takrayi boom ek tez dhamaka hua iss baar ke dhamake ka impact
bohat zyada tha jise puri gufa hil gayi thi powers ko mujhse takrate dekh Asmodeus ke
chehre par muskaan naach gayi par ye muskaan kuch hi palon ke liye thi dhamake ki wajah
se jo dhua hua thawo jab hata toh Asmodeus ke chehre ki muskaan gayab ho gayi aur uski
jagah hairani ne le li reason main apni jagah par hasta muskurata hua khada tha mere
spell ki wajah se meri supra gupta kitab ki shakti ne mujhe charon taraf se ek shield ki
tarah gher liya tha jiski wajah se mujhpar Asmodeus ke powers ke takraane ka koi asar
nahi hua par uski shaktiyon ke impact ki wajah se mere supra gupta book dwara banaye
shield me kamzori zaroor aa gayi thi aur isse pehle ki wo shield khatam ho jayemujhe kuch
karna tha aur issliye apne dono haathon ko faila sampoorn shaktiyem udgamana
complete power rise jahan ek taraf iss mantra ko uccharit kar main aage badhne laga wahi
mujhe apni taraf aata dekh Asmodeus ne ek ke bad ek kayi saare pranghaatak spells
mujhpar chhode par meri supragupta shield ki wajah se mujhe kuch nahi ho raha tha par
Asmodeus ke fifth spell bolte hi uski jo energy mujhse takrayi usse mujhe toh kuch nahi
hua par haanmeri shield zaroor toot gayi par ab mujhe uski zaroorat bhi nahi thi aur
reason main Asmodeus ke paas pahunch gaya tha mujhe apne saamne dekh Asmodeus
ne gaayab hone ki koshish ki par isse pehle ki wo gayab hota maine apne dono haathon
ko jinme meri shaktiyon ki ray naach rahi thi usse Asmodeus ki body se chua diya aur
vinash karoti destroy mere spell ne apna kaam kiya spell ke uccharit hote hi Asmodeus ke
sharir ko ek ke baad ek kayi saare jhatke lage kuch der tak yunhi jhatke lagne ke baad uska
sharir hawa me utha aur tezi se gol ghumta hua mujhse thodi door jaakar gir gaya iss
beech do aur cheezen hui thi pehli ye ki jab Asmodeus ki body ko jhatka lag raha th atab
pure gufe ki roshni bhi kam zyada ho rahi thi aur dusri jaise hi mere haathon ne Asmodeus
ko chua tha tab Asmodeus ke aas paas ek kaala dhua sa ubhra aur fir gayab ho gaya khair
main chalta hua Asmodeus ke paas pahucnha ye mera pehla waar tha jisne Asmodeus ko
behosh kiya tha Asmodeus ke chehre ko ek pal dekh meri nazar uss taraf gayi jahan se ek
adrishya cheez jiski invisiblity power Asmodeus ke behosh hone se kam ho gayi thi aur
jiski wajah se wo mujhe dikhne lagi thi wo dheere dheere udte hue thek asmdodeus ke
baaju me aakar ruk gayi ye chiz aur kuch nahi wahi cube thi doston jiske andar se
Asmodeus ne kuch waqt pahle apne jeeven kan nikale the aur yahi wo chiz thi jiski wajah
se iss gufa me roshni faili hui thi Asmodeus ke paas pahunch uss cube ke andar se 7 kaali
roshniyan nikli aur dekhte hi dekhte wo 7 roshniyan Asmodeus ke behsosh body me sama
gayi ye 7 roshniyan aur kuch nahi balki the seven opostles the jo ab Asmodeus ke andar
the aur jaise hi the seven opostles Asmodeus ke andar samaye Asmodeus ki aankh khul
gayi

Wahi dusri taraf:

vajrapa atahem lighting attack vish andatem poision titamyati choke sampurn vinasham
complete destruction ye chaar spells aur iske saath saath aur kayi saare spells Ronit aur
Anjali ne Beelzebub ke upar chhode par kisi bhi spell ka Beelzebub par koi khaas fark nahi
pada waise toh spells Beelzebub ne bhi in dono ke upar chhode thepar ye dono bhi uske
har spell ko jaise taise dodge diye jaa rahe the par jahan mere dono doston ko bachna
padh raha tha wahi Beelzebub par toh kisi bhi spell ka koi khaas fark hi nahi padh raha tha
aur issliye

Beelzebub:- maine toh pehle hi kaha tha ki murkho ki tum mera kuch nahi bigad sakte
tum hi kya tumhare ghanisht mitr Vikram tak mera kuch nahi bigad sakte jab Beelzebub
apni badhayi kar raha tha tab Anjali aur Ronit ko apne aas paas Defender aur unke saath
kisi aur ki urja mehsoos hui jise mehsoos kar dono ke hi chehre par muskurahat aa gayi
Ronit:- murkh tu hai Beelzebub tujhe kya lagta hai ki hume pata nahi ki tu yun dinge kyu
hanak raha hai ye teri galti hai hume sab pata hai

Beelzebub:- acha zara main bhi toh sunu ki tumhe kya pata hai?

Anjali:- sunna kyu hai dekh le Anjali ne apni baat khatam hi ki thi tabhi do roshniyon ke
beech do aakrutiyan prakat hui aur jaise hi un aakrutiyon ne roop liya Beelzebub ko ek zor
ka jhatka liya un do logon me se ek toh Defender hi the aur dusri thi Alesendra ji haan
dosto wo Alesendra hi thi jiske andar Beelzebub ne apne jeeven kan chupaye the wo
Alesendra hi thi jiske bare me Vikram ko dusri bhavishyavaani me bataya gaya tha wo
Alesendra hi thi jiske bare me maine ghar par AV ko aur Isla aur Warriors World ke bahar
Defender aur mere doston ko bataya tha Alesendra naa chahte hue bhi Beelzebub ki maa
aur dono chaahe naa chahe par dono hi uss rishte me bandhe hue hain jiske aage God bhi
jhukte hain maa bete kaa rishta aur issi rishte ne Beelzebub ko sahuliyat di ki wo apne
jeeven kan Alesendra ke andar chhupaye

Alesendra:- tujhe laga ki tu jeet gaya Beelzebub kyu? tu aur tere pitah bas baazi hi jeet
sakte hain jung hamare lord hi jeetenge khair tune zindagi me pehli baar ek nek kaam kiya
hai mere andar apne jeeven kan daal tune mujhe lord ke kaam aane layak bana diya aur
jo bojh mere seene par teri maa hone ka tha aaj wo bhi utar jayega jahan ek taraf
Defender aur mere dost ye sab sun ke sad the kyu ki wo jante the ki ab kya hone wala hai
wahi Beelzebub ekdum sthi r khada tha apni baat kehte kehte hi Alesendra ke haathon
me ek bada sa chaaku chamak utha jise usne apni baat khatam karte hi apne pet me utar
liya ahhh Alesendra pehli dard bhari cheekh Alesendra ke mouh se nikli thi wahi dusri
cheekh Defender aur mere doston ke mouh se nikli apni cheekh ke saath hi Alesendra
neeche jhukti chali gayi par isse pehle ki wo neeche girti Defender ne usse thaam liya iss
wakt teeno ki hi aakhon me aansu the

Alesendra:- aap teeno roiye mat ye ghum ka nahi khushi manane ka waqt hai meri mout
paap ke iss maha adhyaya ka ant likhegi isse badi baat aur kya ho sakti hai? apni baat keh
Alesendra ki aankhen band ho gayin wahi Defender kuch kehne hi wale the ki tabhi kuch
dekh wo chonke

Defender:- arre ye Alesendra ke haath ko kya ho raha hai? Defender ki bat sun jaise hi
Ronit aur Anjali ki nazar Alesendra ke haath par gayi toh wo dono bhi shocked ho gaye
reason Alesendra ke haath dhua ban gayab ho rahe the haath hi kya dekhte hi dekhte
kuch hi palon me puri Alesendra dhua ban gayab ho chuki thi Defender Anjali aur Ronit
ko kuch bhi samjh me nahi aaya aur jaise hi unki nazar Beelzebub par gayi toh unhone
usse muskurate hue paya

Beelzebub:- itna mat chonko mere jeeven kano ne meri maa ke sharir ko sokh liya hai
issliye ye dhua utha hai aur ek baat agar tum sabko lagta hai ki mere jeeven kan ke raaz
ko jaan meri maa ki kurbaani dene se tum mujhe maar paaoge toh ye tumhari galat fehmi
hai mere andar white aur black energy dono moujud hain jabki tum sab sirf white energy
ke dhaarak ho issliye tum sab milkar bhi koshish karo tab bhi mujhe nahi maar sakte mere
bare me kya khayal hai? mujhse toh tum maroge naa abhi koi kuch kehta ki tabhi mere
doston ke peeche se ye awaaz aayi jise sun jab wo palte toh sabko ek jhatka laga par sabse
bada jhatka toh Beelzebub ko laga tha mere doston aur Beelzebub ke saamne khada
shaksh wahi tha jiske paas main God se baat karne ke baad gaya tha jise maine kaha tha
ki sahi waqt par main usse bulaunga aur abhi hi wo sahi waqt tha kuch der tak ek tak
saamne wale ko dekhne ke baad mere doston Defender aur Beelzebub ke mouh se ek
saath saamne khade shaksh ka naam nikla Bhuvika

Flashback

Main:- Analia aur main (Bhuvika) hum dono apne ghar se kuch door ekant me baithe hi
the ki tabhi hamare saamne ek tez roshni ubhri uss roshni se nikalne wali kirano se hamare
sharir ko jo ki ek hi tha bohat shanti mil rahi thi hum dono uss shanti ko mehsoos kar hi
rahe the ki tabhi wo roshni kam hone lagi aur jaise hi roshni puri khatam hui toh

Hum:- Lord aap? hamare saamne Lord of Angels the itne dino pashchat lord ko apne
saamne dekh hum dono hi bohat khush hue the aur waise bhi jo lord ne hum dono behano
aur hamare pure grah ke liye kiya tha uski wajah se hum sabhi unse milne kounhe apne
samaksh ek baar firse dekhne ko bohat aatur the aur aaj abhi yun achanak Lord ko apne
saamne dekh hamari khushi ka thekana nahi tha Analia ne aur fir uske andar se maine
Lord ko hume dobara darshan dene ke liye dhanyawaad kaha kuch der tak yunhi baatein
karne ke baad

Vikram:- Bhuvika apni behan ke andar rehne se kaisa lag raha hai?

Main:- bohat acha lag raha hai Lord meri baat sun Lord ke chehre par ek muskaan aa gayi
jise main hadbada si gayi waise toh main apni behan Analia ke andar thi mera khudka koi
sharir nahi tha fir bhi mujhe aisa laga jaise meri iss hadbadahat ko Lord ne mehsoos kar
liya hai aur wo issliye kyu ki meri baat sun lord ki muskurahat aur gehri ho gayi thi

Vikram:- kya sach me?


Analia:- nahi Lord ye jhut bol rahi hai isse har waqt apne khud ke astitv ka apna khud ke
sharir ke naa hone ka ghum khalta hai

Main:- tu bhi naa Analia kuch bhi bolti hai maine aisa kab kaha tujhse?

Analia:- tu bhool rahi hai ki tu iss waqt mujhme hi samayi hui hai tere bhaavnaaye mere
dil se judi hui hain teri khushi aur saare ghum ke ehsaason ko mehsoos mera hi dil karta
hai mujhe pata hai ki bhale hi tujhe iss baat ki khushi hai ki tu mere saath hai par saath hi
tujhe iss baat ka dukh bhi hai ki ab teri apni koi pehchaan nahi Analia ki baat sun main
kuch naa keh payi kehti bhi toh kya thi wo sahi hi aur upar se ye jante hue bhi ki Lord se
kuch nahi chhupta maine Lord ke sawal par jhoot kaha tha iss baat ki bhi mujhe
sharmindagi thi par jaisa ki maine kaha ki Lord se kuch nahi chhupta toh fir meri ye
aatmglaani bhi kaha chhupni thi issliye

Vikram:- tumhe lajjit mehsoos karne ki zaroorat nahi hai Bhuvika jo tum mehsoos kar rahi
ho wo mehsoos karna swabhavik hai aur karna bhi chahiye bhale hi koi kisi se kitna hi
prem kyu naa kare par uska khudka bhi ek wajood hona anivarya hai

Bhuvika:- kintu ab ye anivaryata mujhpar lagu toh ho nahi sakti Lord toh fir iss bare me
sochkar ya baatkar kar kya faayda?

Vikram:- kisne kaha ye tumse? arre haan maine hi kaha tha? par jhoot kaha tha

Main:- jhoot arthaath

Vikram:- arthaath ye Lord ne apni baat adhuri chhod apne haath aage kiye unke aisa karte
hi unke haathon se white energy ki ek moti si ray nikal Analia par padi aur usse hote hue
jaise hi wo energy sharir ke andar pahunchi toh agle hi pal mujhe aisa laga maano koi
shakti mujhe andar se bahar ki taraf dhakel raha ho uss shakti ka zor itna zyada tha ki
Analia ke sharir ke andar se ek aur white energy ki moti si ray uske sharir se bahar aane
lagi puri tarah bahar aa wo energy Analia aur Lord ke beech aakar ruk gayi kuch palon tak
ussi roop me rehne ke baad uss white energy ne ek naya roop lena shuru kiya ek insaani
roop aur dekhte hi dekhte jab uss white energy ne khudko ek insaani roop diya toh usse
dekh Analia khushi se ucchal padi reason Analia ke saamne iss waqt jo khadi thi wo aur
koi nahi main thi aur wo bhi apne ussi purane aur sampoorn roop me jiske mit jane ki
wajah se main apni behan me samayi thi Analia turant aage badhi aur usne mujhe gale se
laga liya jahan meri behan khush thi wahi main khush bhi thi aur shocked bhi mujhe yakin
hi nahi ho raha tha ki mujhe apna sharir wapas mil chuka tha jaise hi Analia mujhse alag
hui toh main khudhi ko chu chu kar khud ko yakin dila rahi thi ki sapna nahi balki haqiqat
hai main toh abhi aur naa jane kitne hi waqt tak khudhi me khoyi rehti par tabhi

Analia:- dhanyawaad Lord meri behan mere paas zaroor thi par ab tak kahi na kahi mujhe
uska khud ke sharir ko khone ka bohat afsos tha main usse baatein toh kar leti thi par usse
chhu nahi paati thi usse apne sukh dukh baant toh leti thi par usse gale laga nahi paati thi
par aaj aapne meri behan ko uska sharir louta meri saari khawahishon ko pura kar diya
jahan ek taraf Analia ki baat sun Lord bas muskura rahe the wahi main jo apne aap me hi
vyast thi apni behan ki awaaz sun mera bhi dhayan Lord par gaya

Main:- aapne jo aaj firse mujhpar kripa ki uske liye dhayanyawaad bohat chota shabd hoga
Lord?

Vikram:- dhanyawaad kaisa? jo tumhara tha tumhe wapas mil gaya

Bhuvika:- Lord kya main kiuch puch sakti hun?

Main:- yahi naa ki jab tum theek ho sakti thi toh fir maine jhut kyu kaha tha ki tumhe
hamesha ke liye Analia ke andar hi rehna padega

Main:- ji Lord

Vikram:- wo jhut toh tha par puri tarah se nahi Lord ki baat par mere aur Analia ke chehre
par sawal dikhne laga tha

Vikram:- mere kehne ka matlab hai ki maine sirf ye jhut kaha tha ki tumhe hamesha ke
liye tumhari behan ke sharir me rehna padega par ye pura jhut issliye nahi hai kyu ki jab
maine tumhare sharir se black energy nikali thi uss waqt tumhara Analia ke sharir me jana
aawashyak tha

Main:- Lord main aapke kathan ka arth ab bhi nahi samjh paa rahi hun?

Vikram:- janta hun par kuch hi shano me tumhe samjh me aane lage ga ya fir ye kahu ki
tum khud apne sawal ka jawab dogi par usse pehle mere sawalon ka uttar do kafi waqt
tak tum black energy ki dhaarak rahi thi uss waqt tumne dhayan kendrit kar apni un kaali
shaktiyon ko aur nikarne ki koshishe bhi ki thi toh mera sawal ye hai ki black energy ki
sabse badi khasiyat kya hoti hai?

Main:- black energy ki sabse badi khaasiyat arre haanyahi ki agar kisine black energy ko
apna liya haitoh wo apne uss dhaarak ki har khubihar shakti jo uske paas pehle se hai usse
badha deti hai
Vikram:- bilkul sahi aur tumne bhi toh yahi kiya tha naa? black energy ki dhaarak bani thi
toh ab zara ye batao ki jab tumne black energy ko chuna thadhaarak bani thi tab uss black
energy ne kya kiya hoga?

Main:- jab main black energy ki dhaarak bani tab usne kya kiya hoga? arre haanye main
kaise bhul gayi jaise hi mere dimag me Lord ke ya fir ye kahu ki mere hi sawal ka jawab
gunja toh main khushi se ucchal padi aur turant aage badh maine lord ke pair chhune
chaahe par Lord ne mujhe aisa karne se rok diya

Vikram:- maine kaha tha naa ki kuch hi der me tum khud hi khudke puche sawal ka jawab
dogi

Bhuvika:- ji Lord aapki koi baat kaise khaali jaa sakti hai mera aapko koti koti naman Lord
yaha main Lord ko lagatar dhayanyawaad kahe jaa rahi thi aur waha meri behan Analia ko
ab bhi kuch samjh me nahi aaya tha aur issliye

Analia:- mujhe toh kuch bhi samjh me nahi aaya mujhe bhi toh samjhayiye

Main:- Lord kya main? mere sawal pure hone se pehle hi Lord ne haan me sar hola apni
swikriti di

Main:- black energy apne dhaarak ke har shakti har kabiliyat ko aur badhati hai bhale hi
wo shakti uski dushman hi kyu naa ho? aur black energy ki ek maatra aur sabse badi
dushman kaun hai?

Analia:- white energy

Main:- haan white energy wahi energy jiske hum Courious waasi Lord aur angels ke baad
sabse bade dhaarak hote hain jo hamari shakti bhi hai aur hamari kabiliyat bhi jiske paida
hone ke paschat mere andar kami ho gayi thi par fir bhi mere andar white energy bohat
zyada maatra me thi aur jab main black energy ki dhaarak bani toh usne meri baaki
kamiyon ke saath saath mere andar white energy ki jo thodi si kami thi usse bhi door kar
diya

Analia:- par kaise? mera matlab hai ki uss kami ko pura karne ke liye black energy ko tere
andar white nergy paida karni thi par black energy ka white energy paida karnaye kaise
mumkin hai? main Analia ke sawal ka jawab deti usse pehle hi

Vikram:- Analia tum Courious waasi pure bramhaand me ekloute aise ho jinme khun nahi
white energy daudti hai toh zaahir si baat hai ki tumne apne purwajo se white energy aur
black energy ke bare me zaroor suna hoga
Analia:- ji Lord suna hai

Vikram:- toh ye batao ki black energy ko kisne janm diya?

Analia:- white energy ne samast bramhaand me base manushya jati ke hriday me unke
mstishk me jaise hi nakaratmak vichar ne janm liya toh uss ehsaas ne white energy ki
taakat ke asar ko pura ulta kar diya aur issi bhaavnavichar ke fer badal se white energy ke
bhitar se nikli black energy

Vikram:- bilkul sahi toh iska arth ye hai ki black energy ne khudko ek alag pehchaan di par
uski pehchaan aaj bhi white energy ki den hai aur agar wo chaahe toh khudko wapas apne
janm daata me sammilit kar sakti hai jo wo karegi nahi par khud ke faayde ke liye wo apna
rang aur swabhav badal zaroor sakti hai Bhuvika ke maamle me usne yahi kiya kyu ki
Bhuvika ne black energy ko apna liya tha toh usne Bhuvika ko aur shashakht banane ke
liye apne kuch kano ki kurbaani de uski white energy ki kami ko door kar diya par jab
maine Bhuvika ke andar se uss black energy ko nikala tab uske wo kan jise usne white
energy me badla tha wo bhi bekaabu hone lage wo wapas apne asli form yaani black
energy me badalna chahte the par kyu ki Bhuvika ke andar sirf white energy hi bachi thi
aur wo wapas ussi ki dhaarak ban chuki thi issliye wo kan wapas black energy me nahi
badal pa rahe the par unke be kaabu hone ki wajah se Bhuvika ke sharir me white energy
ki jo kami ki taklif thi usne wapas janm liya aur issliye hi maine Bhuvika ko ek urja ka roop
dekar tumhare andar bheja tha tumhare sharir me behta white enrgy ka samandar
Bhuvika ke asthi r hue urja ko shaant karne laga aur ab un kano ne khudko whiete energy
ke roop me swikar kar liya hai jiska matlab hai ki Bhuvika ke sharir ki kami ab door ho
chuki hai aur issliye hi tumhari behan apne pairon par khadi hai Lord ki baat sun meri hi
tarah Analia bhi Lord ke aage jhukne ko hui par unhone usse bhi aisa karne se rok diya

Vikram:- Bhuvika mujhe tumhari madad chahiye

Main:- aisa kehkar aap mujhe sharminda naa kare Lord aadesh den

Vikram:- Beelzebub ne khudke jeeven kano ko apni maa Alesendra ke andar chhupaya hai
un jeevan kano ko nikalne ke liye Alesendra ko apni kurbaani deni hogi kintu uske baad
bhi Beelzebub ko maarna aasan nahi hoga kyu ki wo black energy ke saath saath white
energy ka bhi dhaarak hai main chaahun toh usse maar sakta hun par agar maine aisa kiya
toh uske andar jo dono shaktiyan hain wo fat jayengi jise aadhe bramhaand ka naash ho
jayega Beelzebub ka anth sirf tum hi kar sakti ho Bhuvika aur kyu ye tum achi tarah se
janti ho par dhayan rahe tumhe bas ek hi mouka milega issliye apni white energy par
kaabu paao aur unhe samjho
Main:- ji Lord Beelzebub ka anth main hi karungi chalen? (ye aap padh chuke hain)

Vikram:- pehle jo kaha hai wo toh karo aur waise bhiwo jis jagah par haiwo jagah abhi
chuppi hui hai ek baar main usse dhund lun fir tumhe bulaunga tab tak jo kaha hai uspar
apna dhayan kendrit karo

Back to present:

Bhuvika:- yahi hai mere wapas loutne ki aur iss paapi ke anth ke shuruat ki kahani Bhuvika
ko dekh jo Anjali Ronit Defender hairan hue the ab unke chehron par sirf khushi ke hi
bhaav dikh rahe the wahi in sabse alag Beelzebub ke chehre par ab toh koi expression hi
nahi tha wo yunhi ek tak Bhuvika ko dekhe jaa raha tha Defender aur mere doston ko
apne yaha hone ki wajah bata Bhuvika Beelzebub ki taraf palti

Bhuvika:- maa jise parmeshwar se bhi bada darja diya gaya hai usse apni iss manhoos
jeeven ki dhaal banakar tune apna ghatiya pan saabit kar diya hai Beelzebub

Beelzebub:- baatein bas yahi be asar hathyar hi toh bacha hai tere paas apne sharir ko
wapas paane ki khushi me tu ye tak bhul gayi hai ki ab tere paas koi aloukik shakti nahi
bachi hai black energy ka tyag kar tune apni saari maayavi shaktiyan kho di hai aise me tu
mujhe Beelzebub ke saamne khade ho usse maarne ki baat kar rahi hai maregi toh ab tu
aur wo bhi mere haathon apni baat kehne ke baad Beelzebub ke haathon me ek black ray
dikhne lagi jise Ronit Anjali aur Defender ne bhi dekh liya tha aur dekhte hi teeno Bhuvika
ko bachane aage badhe hi the ki

Bhuvika:- aap sab apni jagah par hi rukiye aur mujhpar vishwas kijiye mujhpar nahi toh
kamse kam Lord par toh vishwas kar hi sakte hain aap sab itna toh jante hi honge naa aap
sab ki Lord ka koi bhi faisla akaaran nahi hota agar unhone mujhe yaha bulakar iske
saamne khada kiya hai toh ye mere hi haathon marega Bhuvika ki baat me dum tha issliye
Ronit Anjali aur Defender ne kuch naa kar bas tamasha dekhne ki sochi

Bhuvika:- aur Beelzebub der kis baat ki jo kaali urja se bana gola tere haath me hai kar
waar mujhpar isse uske baad tujhe pata chalega ki kaun kitna bhula hai Bhuvika ki baat
sun Beelzebub ne ek baar usse ghura aur agle hi pal arre ye kya? mera chhoda astra kaha
gayab ho gaya? Beelzebub jisne Bhuvika ki baat ya fir ye kahu ki uske challenge ko sunte
hi uspar apne haathon me chamak rahe kaali urja ki gendh ko fenka thawo urja gendh
Bhuvika tak pahunchne se pehle ki gayab ho chuki thi jise dekh Beelzebub ke saath saath
mere dost aur Defender bhi chonke the
Bhuvika:- itna chonk kyu raha hai Beelzebub maine kaha tha ki tere haath ki urja gendh
fekne ke baad tujhe pata chalega ki aakhir asal baat bhula kaun hai? bhul gaya ki iss waqt
tere andar ek aur urja hai shweth urja white energy aur wo

urja teri nahi balki meri hai aur jab tak meri urja tere andar hai tab tak tu mera kuch nahi
bigad sakta tera har waar mujhtak pahunchne se pehle hi khatam ho jayega Bhuvika ki
baat sun Beelzebub chonka usse bhi apni bhool ka ehsaas hua aur usse iss baat ka bhi
andaza ho gaya ki wo Bhuvika ko nahi maar sakta

Beelzebub:- toh kya hua jo main tujhe nahi maar sakta tu kaun sa mere raaste ko roda
hai? tu khadi reh yahi par dekh kaise main tere aankhon ke saamne tere in ghanisht mitron
ko mout deta hun

Bhuvika:- arre ruk ruk ruk itni jaldi bhi kya hai? mere mitron se ladhne se pehle mujhse ek
aakhri sougat toh leta jaa Bhuvika ki baat sun Beelzebub ke maathe par sawal ki silvaten
dikhne lagi

Bhuvika:- nahi samjha naa samjhati hun dekhye toh tune sahi kaha tha ki mere paas ab
koi aloukik shaktiyan hai nahi jise main kisika bhi saamna kar paaun par tere paas toh
bohat shaktiyan hai naa aur teri shaktiyon ko zyada badhane me sabse bada haath meri
urja ka hai jo iss waqt tere andar hai toh issliye tu ek kaam karapni shaktiyon ko aur
badhane ke liye tu meri saari urja apne me sama le isse tu aur shaktishaali ho jayega fir in
teeno ko kya tu sabhi angels par bhaari padega

Beelzebub:- paagal hai kya? teri urja mere andar jaate hi meri urja khatam ho jayegi ek
min kahi tu? samyuktam sardham swa aujasya join with my energy isse pehle ki Beelzebub
apni baat puri karta Bhuvika ne apne haath aage kar iss spell ko bola jo ki asal me koi spell
tha hi nahi ye toh bas apni urja ko apni dusri urja jo iss waqt kisi aur ke paas thi (Beelzebub)
usse milane ka tarika tha (yahi wo spell wo tarika tha jiske bare me Vikram ne Bhuvika ko
Courious me bola tha) khair jaise hi Bhuvika ne ye spell bolauske sharir ko ek tez jhatka
laga ur agle hi pal ek jhatke me Bhuvika ke sharir se uski saari white energy bahar nikli aur
isse pehle ki Beelzebub kuch react kar paata wo saari urja apni bachi urja se milne jo ki
Beelzebub ke andar sama gayi aur ahhh ek ke baad ek kayi saari cheekhen Beelzebub ke
mouh se nikalne lagi iss waqt Beelzebub ka pura sharir kabhi kaala toh kabhi pura safed
hota jaa raha tha kuch der tak ye sab yunhi chalta raha aur fir achanak Beelzebub ka aadha
left side ka chehra aur ussi side ki puri body safed aur dusre side ka chehra aur uss taraf
ki body kaali ho gayi aur saath hi Beelzebub ka cheekhna bhi band ho gaya tha ek tak bina
palken jhapkaayen usne ek baar Bhuvika ko aur ek baar DefenderAnjali aur Ronit ki taraf
dekhne laga uske yun dekhte waqt uska ek taraf ke colour ko dusre taraf ka colour sokhne
laga tha aur jaise hi uska chehra aur sharir ek rang ke hue Beelzebub ke mouh se kuch
shabd nikle aur boomm Beelzebub heir of black energy ka chapter khatam ho chuka tha
ek dusre ko shakl dekhne ke baad jab mere doston ki nazar Mokalsar Akshaant aur Shaila
ki taraf gayi toh sabne apne dimag ko jhatka aur

Defender:- Bhuvika tum yahi ruko hum in devils ki sena ko khtam karke aate hain ye bol
Defender ne Bhuvika ke charon taraf ek shield bana diya aur aisa hone ke agle hi pal wo
teeno vrihakh vaasiyon ki taraf badh gaye

Back to hero:

mere waar se jab Asmodeus behosh hua aur jab cube se 7 kaali rays nikal jo ki the seven
opostles the Asmodeus me samaaye thek tabhi mere andar chuppe aakhri bhavishyawani
ne khud ko khola par apni ek aakhri kadi usne abhi bhi chhupayi hui thi aur jise wo mere
iss yudh ke antim charan me mere saamne lane wali thi khair abhi ke liye mujhe saari
cheezen clear thi mujhe pata tha ki aage mujhe kya aur kaise karna hai par main ye bhi
janta tha ki ki yudh sirf ek ki buddhi se toh chalta nahi saaamne khada pratid wandi jaisa
waar karta hai uska jawab ussi ki tarah hi dena hota hai aur nayi yuktiyan ussi hisaab se hi
banani padti hai yaha main apni sochon me goom thaaur waha mere saamne behosh pade
Asmodeus ke andar wo 7 rays sama chuki thi aur aisa hote hi Asmodeus ki aankhen khul
gayi aur aankhen khulte hi wo ek jhatke me khada ho chuka tha

Main:- toh janab apne aakhri daav ke liye ekke chupaye hue the aur wo bhi ek do ya teen
nahi balki pure 7 haan par meri baat ka Asmodeus ne koi jawab nahi diya kuch pal tak
lagatar mujhe ghurte rehne ke baad usne apne dono haath failaye aur parivar dhana
sardham shaktiyem multiply with power Asmodeus ke spell uchharit karte hi uske andar
se ek ek karke usske kul 7 roop bahar aaye ye saath roop asal me the seven opostles hi
the jinho ne abhi Asmodeus ka roop dhara hua tha ab mere saamne kul 8 Asmodeus the
7 opostles aur ek original Asmodeus aur iska matlab tha ki bhavishwaani me jo yudh ke
sthar ke badhne ki baat kahi gayi wo yahi thi mujhe ek saath in aathon Asmodeus se
ladhna tha main janta tha ki iske alawa aur koi chaara bhi nahi hai issliye main puri tarah
se tayar tha wahi mere saamne khade 8 Asmodeus ne apna ek ek haath meri taarf kiya
aur aaghat sardham sampurn shaktiyem attack with complete power jaise hi un aathon
Asmodeus ke mouh se ye baat nikliunke haathon se tez kaali shaktiyon ki ray nikal meri
taraf badhi vidharati shaktiyem hold power maine bhi apna ek haath aage kar iss mantra
ko uchharit kiya mere aisa karte hi mere haath ke aage ek white energy ki parat si ban
gayi aur jaise hi aathon Asmodeus ke haathon se nikli rsy mere haath ke paas pahunchi
toh wo ruk gayi black energy ki ray ruk zaroor gayi thi par unka force aur power bohat
zyada tha mere haath ke aage ki white energy se bani parat uss force ko thek se sambhal
nahi paa rahi thi ek saath moti gaadhi rays ki bouchar mere hathon me ek saath padh rahi
thi jise rokne ki koshish main kiye jaa raha tha aur iska asar mere saare sharir par bhi ho
raha tha iss waqt mere jabde ek dusre ko jakde hue se the maine apne pure sharir ka
bhaar iss waqt apne uss haath me laga diya tha jise main un aathon Asmodeus ki rays ko
rok raha tha mere pairon ke dabaav ki wajah se gufa ki pathrili zamin jispar main khada
thaunme daraar aane lagi thi par itni shakti kharch karne ke baawajud har pal main thoda
thoda piche khisakte jaa raha tha mere saamne khade mere 8 pratidwandiyon ki shakti
mujhse zyada thi kuch der tak yunhi chalta raha apni puri shakti lagane ke baawjud jab
main saamne se aa rahi kaali shaktiyon se kamzor padne laga toh ahhh mere haathon ke
aage jo meri white energy ki parat thi wo toot gayi aur aisa hote hi wo aathon rays direct
mere haathon me padi aur natija ek tez cheekh ke saath main kayi foot piche hawa me
utda hua jaa gira itna hi nahit hodi der pehle jo Asmodeus ke saath hua thaab wo mere
saath hua itni zyada shakti ek saath lagne aur usse naa jhel paane ke kaaran main behosh
ho chuka tha par mere girne ke baad aur behosh hone ke baad bhi un aathon Asmodeus
ne apne apne rays ka nikalna band nahi kiya infact main peeth ke bal besosh hua pada tha
aur iss waqt wo aathon kaali rays mere peeth par lagatar padh rahi thi jiski wajah se meri
body halki halki kaamo rahi thi waise toh mere paas meri apni shield thi par kyu ki mera
saamne meri hi tarah Gods son se thaissliye wo kuch nahi kar sakti thi khair mera sharir
toh behosh ho chuka tha par meri aatma ek sukoon taran safar me ek safed si chaadar
odhe ek sjeeb jagah par ud rahi thi jis jagah par meri aatma thi wo koi azaad aur khuli
jagah nahi thi par iske baawajud itni badi thi jise kisi bandhan ka ehsaas bhi nahi ho raha
tha main yunhi idhar udhar dekhta aage badh hi raha tha ki kaha chal diye barkhurdaar
ye awaaz mere kaano par padi jise sun mujhe ek jhatka laga par iss jhatke me ek sukoon
sa tha ye awaaz mere piche se hi aayi thi issliye jaise hi main piche palta toh mujhe dobara
jhatka laga aur dobara hi ek naye sukoon ko feel kiya maine reason mere saamne mere
mom dad the jo garv bhari muskurahat se mujhe dekh rahe the

Main:- mom dad aap dono

Dad:- haan hum toh hum hi hain par tune hamare sawal ka jawab nahi diya kaha jaa raha
hai iss waqt tu?

Main:- pata nahi dad par ab jab aap dono mil gaye ho toh ab main yahi rahunga aap dono
ke saath
Mom:- par beta abhi tera kaam pura nahi hua hai wo kaam jiske liye tu apne maa baap
tak ki kurbaani dene se piche nshi hatakya tu uss kaam ko pura nahi karega?

Main:- bohat thak gaya hun mom

Dad:- thaka hai par haara nahi aur itna toh main apne bete ko janta hi hun ki wo haar bhi
nahi sakta

Mom:- bilkul itne saare competitions jeete hain tune toh fir aaj jab tere saamne teri
zindagi ke main maksad ka competition haitoh kaise haar sakta hai tu?

Dad:- exactly uth aur dikha sabko ki tu Jairaj Singh ka beta hai

Mom:- correction uth aur dikha sabko ki hum dono Vikram Jairaj Singh ke maa baap hain
mom dad ki baat sun main muskura diya aur agle hi pal meri aatma ki aakhen band ho
gayi aur tabhi waha meri aatma ki aankhen band hui aur yaha meri aankhen khul chuki
thi sirf aankhen hi nahi khulibalki main ek jhatke me khada bhi ho chuka tha wo black rays
ab bhi mere sharir par padh rahi thi ab bhi mujhe kafi taklif ho rahi thi par iss baar main
un saari taklifon aur dard ko jhelta hua apni jagah par khada hua tha wahi mujhe yun
achanak khada hota dekh pehle toh mere saamne khade aathon Asmodeus shocked
huepar fir jaldi se khud ko sambhal apne dogune shakti se mujh par un rays ko chhodne
lage wo saare rays mere seene ke upar padh rahe the ek baar fire apne ek haath me white
energy ki parat ko jaga maine apne seene ke aage haath rakhte hue un kaali rays ke prahar
ko apne hatheli par liya par ek baar firse wahi hone laga un kaali shaktiyon se nirmit rays
ki aseemit shakti ki wajah se mere haathon par jo white energy ki ray thi wo dheere
dheere kam hone lagi aur ab mujhe jo bhi karna thawo jaldi hi karna tha kyu ki uss black
energy se main khatam ho paaun ya fir naa ho paaunpar jo power un rays se nikal rahi thi
agar unhone meri body ke saath saath aaju baaju bhi apna asar dikhana shuru kiya toh
mere dost nahi bach paate aur issliye bhavishwaani me kahi gayi uss baat ko pura karne
ka waqt aa gaya tha jisme usne kaha tha ki apni saari shakti ko tol jhaank apne bhitar aur
issliye maine apni aakhen band ki aur agle hi pal main apne pure sharir me daud rahe
white energy se jud gaya aur aisa hote hi mujhe apni saari urja apne haathon aur pairon
ke naso me feel hone lage hazar surya jitni urja mere dono baazuon me bharne lagi thi
dekhte hi dekhte mera saara sharir halka halka glow karne laga tha jiska matlab tha ki
white energy jo mere andar behti haiwo ab mere pure sharir ke angon me jaan bharne
lagi thi aur aisa hote hi meri aankhen khul gayi mere andar beh rahe white energy ke
bahar aane se mere uss haath ko bhi sahara mila jispar wo black energy ki rays padh rahi
thi ab mere haathon par jo black energy ki ray padh rahi thi uska mujhpar koi khaas fark
nahi padh raha tha par mera maksad defense nahi attack tha aur issliye vikarsati destroy

Back to frndz:

yaar ek baat samjh me nahi aa rahi hai hum itne der me najane kitne hi devils ko maar
chuke hain par inhe dekh kar lagta hai maano ye abhi bhi utne hi hain jitne pehle the aisa
lag raha hai jaise ye wapas zinda ho jaa rahe hain Mokalsar Akshaant aur Shaila toh lagatar
devils ko maar hi rahe the par Beelzebub ke khaatme ke baad Ronit Anjali aur Defender
bhi unki madad ke liye pahunch gaye par lagatar hazaron devils ko maarne ke baad bhi
jab Ronit ko ehsaas hua ki devils ki sankhya me koi kami nahi aayi hai tab usne apni baat
baaki sab ke saamne rakhi

Anjali:- haan yaar ye baat toh maine bhi notice ki hai hum najane kitne hi hazar devils ko
ab tak maar chuke hain par ye saale toh ab bhi utne ke utne hi dikh rahe hain

Mokalsar:- par hum kar bhi kya sakte hain? hume toh apna kaam karte rehna hi hai naa

Defender:- kaam ko kaam tabhi kaha jata hai jab uska koi matlab niklekoi fal mile par hum
jo itne der se kar rahe hainuska toh koi nateeja hi nahi nikal raha hai

Shaila:- toh hum kare kya?

Akshaant:- mere paas ek upaay hai kyu naa hum milkar apni apni shaktiyon se ek aisa
bandhan banaye jsime ye saare devils bandh jayen white energy ke bandhan ke prabhav
ki wajah se ye devils koi shakti prayog bhi nahi kar payengetab hum ek saath apni apni
sampoorn vinash ke spells in sab par ek saath chhod denge jise inka samouh naash ho
jayega tab hume ye bhi pata chal jayega ki jo hum soch rahe hain wo sach hai ya nahi ye
devils marne ke baad bhi kahi zinda toh nahi ho jaa rahe hain?

Ronit:- waah bhai Akshaant sahi socha hai tune chalo firaisa hi karte hain Akshaant ki yukti
par sehmati dikha jaise hi sab apne agle spell ko bolne ko hue aisa tum nahi kar sakte
devils ko maarne ki zaroorat nahi haibas un sabko apne apne shaktiyon se bane bandhan
se baandh do ye meri awaaz thi jise sun sabhi ek jhatke me ruk gaye kisiko bhi samjh me
nahi aaya ki maine devils ko maarne ke liye mana kyu kiya tha wo sab mujhse iss bare me
puchna chahte the par isse pehle ki wo kuch puchte

Main:- sab samjh me aa jayega waise bhi ab hum iss khel ke antim charan par pahuchne
wale hain issliye jaisa kaha gaya hai waise karoaur mere paas aa jaao ek baar firse un sab
ke mann main meri awaaz gunji jise sunane ke baad unke paas kuch kehne ko nahi bacha
tha aur issliye shakti bandhanam power confinement Defender aur mere frndzne ek saath
iss spell ko uccharit kiya aur aisa karne ke agle hi pal un sabke sharir se white energy se
bani moti rays nikli ye rays invisible thi jise sirf iska use karne wala hi dekh sakta tha devils
nahi wo saari rays ek saath milkar ek rope ki shakl le dono taraf se saare devils ko gherne
lage aur jaise hi un rays ke dono sire ghumte hue ek dusre se milewo visible ho gaye aur
devils ko bhi dikhne lage par ab devils kuch bhi nahi kar sakte the wo fas chuke the white
energy se bane iss bandhan ke andar se naa toh wo khud nikal sakte the aur naahi koi
spell keh sakte the unke saare spells white energy ke uss bandhan se takrakar nishkriya
ho jaate apna kaam khatam kar Defender aur mere dost Bhuvika ke paas pahunche
Bhuvika ke saath hi iss waqt meri AV khadi thi dono ko le sabhi mere paas pahunch gaye
aur jahan ka nazara dekh sabhi ko jhatka laga reason unke saamne ek taraf main khada
tha aur dusri taraf 8 Asmodeus jinke haathon se ek saath black energy se bani ek ray nikal
rahi thi jise maine apna haath aage kar roka hua tha iss nazare ko dekh mujhe taklif me
samjh Ronit aage badhne ko hua par

Defender:- ruko iss jung me hum Lord ki madad nahi kar sakte ye unki ladhai hai unhe hi
ladhna hoga aur waise bhi tumne dhayan se nahi dekha dekho bhale hi Lord akele hain
par iss waqt wo black energy se bane ray ko aasani se rok rahe hain itna hi nahi dheere
dheere unke haathon se nikalte white energy ka ray un 8 black energy ke samagam se
nikle rays ko wapas dhakel raha hai dhayan se dekho iss waqt Lord ka pura sharir white
energy ke prabhav se halka halka chamak raha hai jiska arth hai ki unhone apni andruni
shakti bahar laya hai aise me humme se kisi ka bhi unke urja khshetra me jana thek nahi
hoga Defender ki baat sun Ronit ke saath saath sabhi ka dhayan Defender ki kahi baaton
par gaya aur unhe pata chala ki sab waisa hi hai jaisa Defender ne kaha hai par jo drsihya
un sabke saamne tha wo avismaraniya tha do do mahashakti ka aisa takraav unhone kabhi
bhi nahi dekha tha ek dusre ka haath thaame dhadakte dil se sabhi iss mahasangram ko
ek tak dekhne lage

Back to hero:

bas bohat hua is aakhri maaya ko alvida kehne ka waqt aa gaya hai mere bhai mere sharir
ke andar ki saari urja ke bahar aane ki wajah se black energy ki ray ka mere haath ke upar
asar khatam ho gaya tha par jaisa ki maine kaha tha ki mera maksad defense nahi balki
attack tha issliye maine apni sharir ki saari urja ko apne haathon ke zariye bahar nikalna
shuru kiya mere aisa karne se mere andar ki white energy ne bhi Asmodeus ki black energy
ki hi tarah ek ray ki shakal li aur jaise hi uss ray ke baahav ne hathon ko chua aisa hote hi
mere haathon ke aage ki black energy ki ray ko ek jhatka laga aur agle hi pal wo wapas
peeche hone lagi situation ke yun achanak badalne se kuch der pehle jaise mere jabde
aapas me bheenche hue se thepaaon neeche pathrili zamin par dhas se gaye thewaisa hi
kuch ab mere saamne khade aathon Asmodeus ke saath hone laga wo sab bhi ab apni
puri shakti laga mere ray ko aage badhne se rok rahe the par wo iss prayas me kaamiyab
bilkul bhi nahi ho paa rahe the meri ray dheere dheere unki kaali shaktiyon ki ray par
bhaari padti hui usse piche ki taraf dhakelti jaa rahi thi aur kuch hi der me unki ray jo ek
point par aakar ek ho rahi thi us point par pahunch gayi aur tabhi maine kaha ki iss aakhri
maaya ko khatam karne ka waqt aa gaya hai apni baat keh maine apni urja ke baahav ko
aur tez kar diya mere aisa karte hi black energy ki starting point jahan se wo saare rays ek
hokar nikal rahe thewaha hulchul si hone lagi aur agle hi pal ek halke jhatke ke saath wo
saari rays alag ho gayi rays ke alag hote hi wo saari rays wapas 8 hisso me bat gayi jinki
shuruat un aathon Asmodeus se thi black rays ke 8 hisse me baththe hi meri ray bhi 8
hisso me bat gayi aur meri ray ka har hissa un rays ke har hisse ko piche dhakelne laga
apni ray ko apni taraf aata dekh aathon Asmodeus ne apne dusre haath ki shakti se aur
kaali urja paida ki taaki unke rays ko aur taakat mile par unke aisa karte hi maine bhi apne
dusre haath se white urja paida karna shuru kar diya taaki meri rays bhi aur shaktishaali
ho jayen aur hua bhi aisa hiunki koi bhi yukti kaam nahi aayi aur dekhte hi dekhte mere
aathon rays ne unke aathon rays ko dhakelte hue unke haath me wapas bhej diya aur
tabhi ahhh ahh ek saath aath karahen nikli jo ki mere saamne khade aathon Asmodeus ki
thi aur reason unki shakti ko dhakel jaise hi meri urja ne unhe chuatoh un sabke sharir ko
ek jhatka laga jis wajah se unke mouh se kaarah foot padi par main nahi ruka infact maine
apni urja ke bahaav ko aur zyada kar diya aur natija meri aankhen chamak uthi reason asli
Asmodeus ko chhod baaki ke uske saathon roop jo ki the seven opostles the wo wapas
apne asli malik matlab asli Asmodeus ki taraf kheenchane lage kuch pal lage aur fir aahh
ek dardnaak cheekh pure gufa me gunj uthi ye cheekh asmdoeus ke mouh se nikli thi
reason the seven opostles uske andar wapas sama chuke the par uske cheekhne ka reason
ye tha ki apne saath saath the seven opostles meri urja ko ya fir ye kahu ki Lord of Angels
ki urja ko bhi Asmodeus ke andar le gaye jiski wajah Asmodeus cheekh utha wahi hum
dono se kuch door khade mere dostDefender aur meri AV ke chehre par khushi ke bhaav
the par jahan mere dost aur Defender iss baat se khush the kyu ki unhe lag raha tha ki
aakhirkaar maine Asmodeus ko hara diya tha wahi meri AV issliye khush thi kyu ki ek wahi
thi jise sach pata tha aur wo ye bhi janti thi ki asli ladhayi toh ab shuru hone wali hai aur
yahi ladhayi meri niyati ko pura karegi khair jaise hi Asmodeus cheekha maine mann hi
mann ek spell bola jiske uccharit hote hi Asmodeus girkar behosh ho gaya aur jaise hi
Asmodeus behosh hua
Main:- mere paas aao maine mann hi mann ye baat Defender aur apne sabhi doston se
kahi jise sun Defender aur mere dost mere paas aa gaye

Ronit:- waah mere sher aakhir tune kar dikhaya

Main:- picture abhi baaki hai mere dost

Sab:- matlab?

Main:- sab pata chal jayega pehle wo karo jiske liye tum sabko yaha bulaya hai waha
dekho ye bol maine apni ek ungli ek direction me point ki

Ronit:- abbe wo kya cheez hai? daraslal jis taraf maine point kiya tha waha par wahi cube
tha jiske andar se the seven opostles nikle the aur jise ab tak sirf main dekh raha tha par
mere uski taraf point karte hi mere haathon se ek invisible ray nikli aur sidhe jaakar uss
cube se takrayi aur agle hi pal wo cube sabke liye visible ho chuka tha

Main:- wo wahi cube hai jiske andar se Asmodeus jaise dikhne wale 7 apostles nikle the
par wo sab chhodo aur wo samjho jo tumhe ab karna hai jaise hi Asmodeus ko hosh
aayega toh tum sab apni apni puri urja se uss cube par waar karna meri baat sun mere
dost mujhse kuch puchna chaah rahe the par

Main:- maine kahanaa ki sab pata chal jayega bas abhi jitna kaha hai utna karo tayar ho

Sab:- haan sabke haami bharte hi utsnyati emerge mere spell bolte hi aahhh sampurna
shaktiyen daavy anati complete power release darasal meri urja ko grahan karne ki wajah
se jab Asmodeus cheekha tha tab maine sabhonati low down iss spell ko uchharit kar apni
urja ko jo Asmodeus ke andar thi usse shaant kar diya tha jiske baad Asmodeus behosh
ho gaya tha aur ab jo maine spell bola thauske uchharit karte hi meri urja jo Asmodeus ke
andar thi wo wapas jaagrit ho chuki thi jiski wajah se uske sharir ko ek jhatka laga aur wo
hosh me aa gaya hosh me aate hi mere urja ke prabhav se usse wapas asahaniya peeda
hone lagi jiski wajah se wo firse cheekh utha wahi Asmodeus ke hosh me aate hi mere
doston aur Defender ne ek saath apna spell bola jiske uccharit hote hi un sabke haathon
se unki shakti ray nikal side cube par padi aur aisa hote hi ek saath do do chizen huin pehli
pure cube me kampan hone lagi aur dheere dheere wo khulne lagi thi

Dusri:- meri urja ke khudke bhitar jaagrit hone se asmdoeus ke chehre ka rang aur yayan
tak ki uske sharir ko dhakne wale uske kaale libas ka rang bhi ruk ruk kar badalne laga tha
wahi apne haathon ki urja cube ko dete dete jab Defender aur mere doston ki nazar
Asmodeus par gayi toh wo bhi shocked ho gaye jaise jaise waqt beet raha tha aur cube
par mere doston aur Defender ki urja lagatar padh rahi thi waise waise Asmodeus
kicheekh aur uske rang me badlav ki prakriya bhi badhti jaa rahi thi aur fir wo ghadi bhi
aa gayi jiska mujhe intezar tha jaisa ki kuch der pehle bhi hua thamujhe Asmodeus ke
sharir se lag kar usse zara peeche ek kaala dhua nazar aane laga jiska matlab tha ki
bhavishwaani ke uss kathan ko pura karne ka waqt aa gaya hai wahi kathan jisme
bhavishyawaani ne kaha tha ki tere parakram ke saath jab tera dimag sajag hoga tabhi
punya se paap alag hoga par asli yudh me mushkil hai tera jeet ka swaad chakhna
bhavishvaani ki ye baat yaad aate hi main samjh chuka tha ki the final countdown hans
began mera parakram toh sabhi ke saamne tha aur uss kaale dhuen ko dekh maine apne
dimag ki sajagta bhi saabit kar di thi aur ab baari thi bhawishyawaani ke diye uss ishare
ko samjhne ki jise maadhyam se paap punya se alag hone wala tha aur wo ishara main
bohat pehle hi samjh chuka tha maine apna pura dhayan Asmodeus par kendrit kiya
Asmodeus ki aankhen bhi iss waqt dard ki adhikta ke baawjud mujhpar hi tiki hui thi ek
rahasyamayi muskurahat ke saath jiska bhedh sirf Asmodeus hi janta tha maine apne
seene par haath rakha mere aisa karte hi mere andar chuppi supragupta book se ek roshni
nikli jisne dheere dheere mere pure sharir ko gher liya tha waise toh main apne white
energy ke prabhav ki wajah se pehle se hi halka halka chamak raha tha par ab apni
enchantment book ki urja jo ki asal me Gods tear thi uski wajah se main kisi sitare ki tarah
chamakne laga tha ye sab drishya mere dost Defender Bhuvika sabhi aakhen faade dekh
rahe the aur yaha tak ki jise sab kuch pata thameri avuski bhi aankhen badi ho chuki thi
par in sab cheezon ko nazar andaz kar apne lakshya par dhayan laga main dhadakte dil se
aage badhne laga jaise jaise main aage badh raha thaAsmodeus ki cheekh aur badh rahi
thi itna hi nahi wo thoda thoda adrishya bhi hone laga tha thoda thoda issliye kyu ki aisa
lag raha tha maano Asmodeus gaayab toh hona chah raha hai par ho nahi paa raha khair
in sab udhedbuno ke beech main Asmodeus ke pass pahunch gaya Asmodeus ke theek
saamne pahunch

Main:- waqt aa gaya mere bhai ye bol main turant aage badha aur jo kuch samay pehle
Monslickel me hua thawo abhi fir hua nahi samjhe yaad hoga aapko ki Bhuvika ko lekar
jab main Monslickel se loutne wala tha usse pehle Asmodeus aur main gale lage the abhi
bhi wahi ho raha tha maine aage badh Asmodeus ko gale se laga liya aur fir paapiyem
moksayti devil detach boom nahi aahhh pehli awaaz jo ki ek dhamaka tha uske bare me
jante hain ye dhamaka cube se hua tha jis waqt maine spell bola ye wahi pal tha jab cube
ek jhatke me khul gaya tha aur uske yun achanak khulte hi uske andar ki chuupi white
energy bhi ek jhatke me bahar aayi jiski wajah se ye dhamaka hua tha iss dhamake ke
impact se mere dost aur Defender udte hue piche meri AV aur Bhuvika ke paas jaa gire
par kyu ki unhe dhakka white energy ki wajah se laga tha issliye kisi ko bhi koi nuksaan
nahi pahuncha tha girte hi wo sab khade ho chuke the aur khade hote hi unke kaano me
dusri aur teesri awaaz gunji dusri awaaz jisme "nahi" kaha gaya thaye awaaz Asmodeus
ke mouh se nikalne ke baawajud uski nahi thi par iss awaaz ko sun sabhi ek baar firse
shocked ho gaye the reason iss awaaz ke gunjte hi Asmodeus ke sharir ko ek jhatka laga
par ye jhatka piche ki taraf nahi balki aage ki taraf laga tha par kyu ki maine Asmodeus ko
zor se gale lagaya hua thaissliye uss jhatke ka asar hum dono par hua aur hum dono meri
back ke taraf udte hue gire the par mere doston aur Defender ki chonkne ki wajah ka asli
kaaran kcuh aur tha aur wo ye tha ki mere spell bolte hi "nahi" shabd ke saath ek kaala
dhua Asmodeus ke sharir ke peeche ki taraf se bahar nikla tha aur uske yun ek jhatke me
nikalne ki wajah se hi asmdoeus ko bhi jhatka laga tha wo kaala dhua bhi hamari hi tarah
kuch piche ki taraf chala gaya tha par jaise hi wo ruka toh uske agle hi pal usne wapas
aage aane ki koshish ki par naakamiyab raha reason uss kaale dhuen ke saath saath meri
urja bhi Asmodeus ke andar se bahar aayi thi aur jo iss waqt uss kaale dhuen ke paas hi
thi aur jaise hi uss kaale dhuen ne aage badhne ki koshish ki toh meri urja ne ek pinjre ka
roop le liya jisne uss kaale dhuen ko charon taraf se gher liya tha aisa hone par wo kaale
dhua lagatar koshish karne laga taaki wo meri urja ke banaye pinjre ko tod azaad ho sake
par wo kaamiyab nahi ho paa raha tha wahi uss kaale dhuen aur meri urja ke sharir se
nikalne ki wajah se hi Asmodeus ke mouh se wo teesri awaaz matlab cheekh nikli thi jaisa
ki maine bataya ki main aur Asmodeus ek saath mere piche ki taraf udte hue gire the jahan
mujhe kuch bhi nahi hua tha wahi asmdoeus ek baar firse behosh ho chuka tha aur issliye
vigavesana regain conciousness main turant Asmodeus ko side me leta uske baaju me
baith gaya aur uske sar par haath rakh iss spell ko uchharit kiya aur agle hi pal mere
haathon se white ray nikli aur Asmodeus ke sar me sama gayi aur aisa hote hi Asmodeus
ki aankhen khul gayi ab tak mere dost Defender aur meri AV mere paas wapas aa gayi thi
Defender aur mere doston ko toh kuch bhi samjh me hi nahi aa raha tha aur jaise hi
unhone apne sawal ko mere saamne rakhni ki sochiunhe ek aur jhatka laga aisa jhatka jo
aaj se pehle unhe kabhi nahi laga tha aur ye jhatka unhe meri AV ne diya tha kaise? aayiye
khud jaan lijiye jaise hi mere doston ne mujhse in saari ghatnao ke bare me puchne ki
sochi tabhi

AV:- bhai ki waapsi mukabarak ho Vj aakhir tumne apne bhai ko bacha hi liya AV ki issi
baat ko sun sabko jhatka laga tha issliye

Ronit:- bhai ki waapsi bacha liy? saala ho kya raha hai? kya bole jaa rahi hai Avni Asmodeus
hamara dushman hai jise maarne ke liye hi Vj ka janm hua hai
Main:- nahi mera janm Asmodeus ko maarne ke liye nahi balki usse bachane ke liye hua
hai dhamaka hua meri baaton ko sunkar Defender aur mere doston ke zehen me aur aisa
hona laazmi bhi tha

Anjali:- kya bakwaas kar raha hai? dimag thekane par toh hai tera janm Asmodeus ko
bachane ke liye hua hai par kisse?

Ronit:- arre bhaad me jaye kisse? abbe tu usse bacha raha hai jisne tere mom dad ko
maara hai

Main:- kisne kaha? udhar dekho maine uss taraf ishara karte hue apni baat kahi jis taraf
cube tha cube se hue dhamake ke baad kisi ki bhi nazar uss taraf nahi gayi thi aur waise
bhi dhamake ke asar se nikle white energy ki wajah se wo jagah pure white dhuen se ghiri
hui thi aur wo dhua ab bhi wahi tha

Ronit:- abbe waha kya hai jo dikha raha hai? maine tujhse jo pucha oh shit isse aage Ronit
kuch keh nahi paya wo kya koi bhi kuch kehne ki haalat me nahi tha reason white dhua
chhat chuka tha aur uske chattathe hi kuch aakrutiyan dikhne lagi thi jise dekh sabhi
shocked hue the ye aakrutiyan aur koi nahi balki mere mom dad Alesendra aur unke saath
for log aur the aur iss waqt un sabke chehre par muskaan thi aur ussi muskaan ko liye wo
sab hamari taraf aane lage wahi mere doston aur Defender ki toh shock ki wajah se halat
hi kharab ho gayi thi wo fati aankhon se iss namumkin drishya ko dekh rahe the ab tak
mom dad hamare paas aa chuke the aur saath hi Alesendra aur unke saath ke charon log
bhi Alesendra aur wo teeno mere paas aakar jhukne ko hue par maine unhe aisa karne se
rok diya wahi dad ne Ronit ke sar par ek tapli maari jise Ronit hadbadate hue hosh me
aaya aur hosh me aate hi Ronit meri mom ke aur Anjali mere dad ke gale lag gayi aur gale
lagte hi unhe samjh me aa gaya ki ye koi sapna nahi hai aur haqiqat ko mehsoos karte hi
dono ko itni khushi hui ki unki aankhon ne iss khushi me barsaat kar di dono hi mere mom
dad ko zor se pakad ro rahe the

Dad:- bas kar gudiya tujhe pata hai naa ki main tujhe rote hue nahi dekh sakta

Mom:- Ronit kya ladkiyon ki tarah ro raha hai dekh agar tune rona band nahi kiya naa toh
main tujhe apne haathon se bana kuch nahi khilaungi mom ki baat sun Ronit ke saath
saath Anjali bhi hans di kuch der tak maahol yunhi senti raha aur fir

Anjali:- kaash hum teeno ke baaki ke family members bhi yaha hote toh aunty uncle ko
zinda dekh kitna khush hote
Main:- piche dekh mere aisa bolte hi sabki nazar piche gayi aur aisa hote hi wo sab firse
shocked ho gaye reason hamare piche kul do world door khule hue the jinme se ek me
hamare saare ghar wale khade the jinhe mere angels yaha lekar aaye the mere mom dad
ko zinda dekh un sab ko bhi zor ka jhatka laga aur sabhi bhaagte hue aaye aur mere mom
dad ke gale lag gaye wahi dusre world door se king Solomon unki patni aur unke saath
Lord Crusedar yaha pahunche the king Solomon aur unki patni ye jante the ki Alesendra
ko apni kurbaani deni thi aur issliye wo bhi behad dukhi the par jaise hi un dono ne
Alesendra ko zinda dekha toh unki khushi ka thekana naa raha aur yahi khusihi iss waqt
Lord Crusedar ke aankhon aur chehre par bhi dikh rahi thi reason jo chaar log mere mom
dad aur Alesendra ke saath uss cube se bahar nikle the wo aur koi nahi balki Lord Crusedar
ke mom dad patni ur ek louta beta tha aapko yaad hoga ki Asmodeus ne Warriors World
par kabza karte waqt Lord Crusedar ki family ko maar diya tha darasal usne unhe maara
nahi tha balki unhe bhi cube me chhupa diya tha par ab wo sab azaad the aur Lord
Crusedar ke saamne the khair sabhi log apne khoye huon se milne me vyast ho chuke the
aur issi beech

Asmodeus:- tune kar dikhaya bhai aaj najane kitni sadiyon ke baad main azaad hua hun

Main:- abhi aap puri tarah aazad nahi hue hain bhai

Asmodeus:- janta hun par jab itni doori tay ki hai toh bachi hui doori bhi paar ho jayegi
Asmodeus ne apni baat keh mujhe gale se laga liya wahi apni apni baaton ko puri kar sabhi
ki nazar hamare upar aakar theher gayi thi mom dad Alesendra aur Lord Crusedar ki family
jo cube me thi sirf unhe iss saari asliyat ke bare me maalum tha issliye wo shaant hi the
par baakiyon ki jigyasa toh shaant karni hi thi

Ronit:- bhai ab batayega ki ye sab kya chakkar hai? Asmodeus aur tu ek saath hain uncle
aunty Alesendra sab zinda hain waha teri shakti se ek pinjra bana hua hai jiske andar ek
kaala dhua fasa pada hai tu kehta hai ki tera janm Asmodeus ko maarne ke liye nahi balki
usse bachane ke liye hua tha aakhir ye sab chakkar kya hai? clear kar de bhai dimag phata
jaa raha hai aur sun bhai ek hi flow me bata diyo main zyada der ka suspense jhel nahi
punga Ronit ki baat sun sabhi hans diye

Main:- zyada waqt hai bhi nahi hamare paas

Sab:- matlab?

Main:- pata chal jayega par filhaal ke liye saara sach jaan lijiye bhaiye kahani aapse shuru
hui thi toh mere khayal se aapko hi sunani chahiye
Asmodeus:- zaroor ye kahani tabhi shuru ho gayi thi jab God matlab mere pitah ne mujhe
heaven se nikala tha heaven se nikale jane ke baad mera mann bohat vichlit ho gaya tha
mere saath saath mere 7 saathi yon ne bhi heaven chhod diya tha jinhe aap sab the seven
opostles ke naam se jante hain main bohat ghusse me tha aur ghussa aksar nakaratmakta
ko janm deta hai aur nakaratmakta black energy ko black energy jiska janm manushya jati
ke mann main paida hone wale lobh aur nakaratmakta se hua tha jiska God ki hi ki tarah
koi roop nahi hai par jo bohat zyada shaktishaali thi par fir bhi aniyantrit thi uska khudka
koi astitv hi nahi tha usse koi aisa chahiye the jiske madhyam se wo apni urja ko ek disha
de sake aur jaise hi mere dimag me nakaratmakta ne janm liya black energy ko iske bare
me pata chal gaya aur wo mere saamne prakat hui usne mujhe apne aap ko uske hawale
karne ke liye uksaaya usne kaha ki agar main aisa karta huntoh wo meri shakti ko lagatar
badhane me meri madad karegi mujhe aisi ucchaiyon tak pahunchaye gi jahan se main
pure bramhaand ka raja ban jaaunga mera dimag black energy ke iss offer se bohat
prabhavit hua par mera dil mujhse uski baat naa maanane ko keh raha tha mera dil hi nahi
balki mere saathon saathi bhi mujhe aisa karne se rok rahe the par aakhir me mera dimag
jeet gaya maine black energy ki baat maanli aur mere aisa karte hi black energy mujhme
sama gayi par main nahi janta tha ki jis black energy ko main apna gulam banane ki soch
raha thausne mujhe hi apna gulam bana liya tha par ek nayi urja ko mehsoos karne ki
wajah se main itna khush tha ki maine iss taraf dhayan hi nahi diya mere saathon saathi
mere faisle se dukhi the par wo bhi chup hi rahe khair mere andar samate hi black energy
ne mere dimag me kuch binduen daali jo kisi grah ki thi un binduon ke maadhyam se main
uss grah par pahunch gaya ye grah aur koi nahi balki Warriors World tha waha pahunchte
hi mujhe pata chal gaya ki yaha aseemit shaktiyon ka koi shroth hai aur fir Odridge
mountain me mujhe wo shroth mil gaya ek chattan numa patthar ke aadhe hisse me black
aur dusre aadhe hisse me white energy ka baahav tha maine pehle black energy ko apne
andar lene ki sochi aur badi aasani se usse grahan bhi kar liya par jaise hi maine black
energy ke baaju me behti white energy ko chuatoh mujhe ek jhatka laga jiski wajah se
main udta hua uss gufa se bahar jaa gira aur girte hi behosh ho gaya uss white energy ka
asar sirf mujhpar hi nahi hua thabalki mere usse chhute hi kuch der ke liye mere andar
moujud black energy bhi mujhse alag ho gayi thi aur uss behoshi me mere aankhon ke
saamne meri galtiyan dikhne lagi mujhe saari asliyat pata chali mujhe pata chal gaya ki
manushya jati ka mera patan wala faisla sahi nahi tha mujhe ye bhi pata chala ki
manushyon ko roop dene se pehle God be mujhe roop diya tha iska matlab tha ki unhone
mere niraman se khush hokar manushya jati banayi thi aur jab main ek parmeshwar putra
hokar black energy ke behkaawe me aa sakta hun toh fir manushyon ka galat raaste me
jana koi badi baat nahi mujhe ye bhi pata chal gaya tha ki jis urja ko chhukar main behosh
hua tha wo mere pitah ki hi urja thi jo unke dukh ki wajah se bahar nilki thi aur wo dukhwo
gum maine hi unhe diya tha ye sab jaankar main khudko bohat chhota mehsoos karne
laga tha saari haqiqat janane ke baad meri aankhen khul gayi par ab main kuch bhi nahi
kar sakta tha black energy ne mujhe buri tarah apni jaal me fasa liya tha jis kaali urja ko
lene main yaha aaya thaaur jo ab mere andar doud rahi thi usse mere andar moujud black
energy ne meri aatma ko bandi bana liya tha ab main khud kuch bhi nahi kar sakta tha
main hosh me zaroor aa gaya tha par abhi bhi mere sharir me white energy ko chune ki
wajah se halki halki kampan ho rahi thi aur issi wajah se black energy abhi bhi mujhse
door khadi thi main apni bhool ke bare me soch hi raha tha ki tabhi mere andar God ki
awaaz gunji unhone mujhe bataya ki jo galti ho chuki hai uske bare me soch kar koi faayda
nahi aur jise chakravyuh me main fasa hun usme se main khudko khudse nahi nikal
paaunga par chinta karne ki zaroorat nahi hai kyu ki sahi waqt par Prithvi me mere bhai
ka janm hoga aur wahi mujhe iss shraap se mukt karayega par uske aane tak mujhe uske
liye raasta banana hoga ye sab keh God ki awaaz band ho gayi par jo baatein maine suniwo
mere bechain mann ko shaant kar firse mujhe apni buddhi istemaal me lane ke liye kafi
thi kehte hain ki kabhi kabhi sab kuch sahi karne ke liye pehle sab kuch galat karna padta
hai maine wahi kiya us waqt tak black energy mujhse door thi par main janta tha ki kisi
bhi waqt wo mujhme sama jayegi aur uske baad main kuch nahi kar paaunga aur issliye
sabse pehle maine apne saathon saathi yon ko yaad kiya aur saari sachayi batayi maine
unhe bataya ki unhe ek aisa yantra tayar karna hoga jo pura white energy se bana ho par
uski upari parat black energy ki ho jise ki mere andar moujud black energy ko shak naa ho
ye maine issliye kiya taaki jab bhi mujhe mere andar moujud black energy ko dikhane ke
liye kisi bekasoor ko maarna pade toh main kewal uske sharir ko raakh me badalne ki
maaya dikha usse gayab kar dun aur fir usse uss yantra me daal dun pure bramhaand me
sirf wo yantra hi aisa hoga jahan wo black energy usse mehsoos nahi kar payegi aur issi
soch se bana ye cube gufa se nikal maine black energy ko yakin dilane ke liye ki ab main
puri tarah se devil ban gaya hunLord Crusedar ke pariwaar ko maarne ka dhong kiya unhe
raakh ki maaya me badal maine unke sharir ko white energy se lapet iss cube me
pahuncha diya par ab mujhe wo karna tha jiska aadesh mujhe God se mila tha apne bhai
ke janm se pehle mujhe uske liye raasta banana tha aur issliye maine wahi siddhant
apnaya jiski uss waqt zaroorat thi sab kuch theek karne ke liye maine sab kuch bigadna
shuru kiya aur iski shuruat hui Courious se Courious hi ek aisa grah tha jahan black energy
ke kan moujud nahi the issliye mere andar moujud black energy chahti thi ki main
Courious ko hi khatam kar dun par maine usse sujhav diya ki kyu naa Courious waasiyon
ko tadpaya jaye unhe ye ehsaas karaya jaye ki black energy ko naa chun kar unhone kitni
badi bhool ki hai black energy ko mera ye khayal pasand aaya aur fir maine Courious par
uss shraap ka chakravyuh racha aisa karte waqt mujhe bohat taklif hui thi par agar main
aisa nahi karta toh Courious waasiyon ko marna padta aur aisa hone par white energy ki
haar hoti God ki haar hoti issliye naa chahte hue bhi mujhe wo karna pada par fir mujhe
uss shraap ko thek karne ki yukti bhi sochni thi iske bare me sochte samay mere dimag
me ek aisi yukti ne janm liya jise main ek saath bohat se kaam kar sakta tha maine Bhuvika
aur Analia jo ki uss waqt garbh me thi unhe alag kar diya aur maine Bhuvika ko ek aisi
aurat ke garbh me daala jiski ek putri black energy ki gulaam thi black energy ko laga ki
main aisa kar white energy ke saath khilwaad kar raha hun par asal me main black energy
ke saath khel raha tha par aisa nahi tha mere iss kaam ne bhavishya mw ghatne wali bohat
si chizon ko janm de diya tha saath hi main apne bhai ke liye saari kadiyan jod raha tha
taaki wo aur main bina black energy ke shak ke daayre me aaye usse hara saken iss beech
meri mulakat Alesendra se hui main usse chahne laga par mere andar moujud black
energy iske khilaaf thi par black energy ye bhi janti thi ki Alesendra Isla ki rajkumari hai
jahan Fountain of Light behti hai aur issliye usne mujhe Alesendra se vivah karne se nahi
roka par vivah ke baad pehle sambhog ke samay black energy ne Alesendra ke andar
khudke kano ko bhi chhod diya jiski wajah se hamara putra jise ek angel hona thawo ek
devil bankar paida hua aage chalkar mere har niji kaam me bhi black energy apni taang
adayegiye mujhe pata tha aur par maine aisa hone diya kyu ki main iss ka tod Bhuvika ki
shakl me pehle hi bana chuka tha Bhuvika aur mere putr ki shayadi hogi aur issi wajah se
mere bete ke andar jo black energy ka bahaav haiuske hote hue uske bhitar white energy
pahunchegi yahi meri yojna thi par ye yojna adhuri thi mujhe Beelzebub ke andar se puri
black energy bahar nikalni thi par iski yukti meri samjh me nahi aayi thi khair iss chiz ko
waqt par chhod main apne maksad me aage badhta gaya jab main Isla me Fountain of
Light ke kareeb pahuncha toh uske urja ke prabhaav se black energy ek baar firse mujhse
door ho gayi aur issika faayda uthathe hue maine hi mere bhai ke liye bhavishyawaaniyan
uss fountain ke andar chhodi aisa kar mera ek bohat bada kaam pura hua tha aur ye raaz
raaz hi rahe issliye hi fountain gayab ho gayi thi khair Isla par apna kaam khatam karne ke
baad mujhe ek vichar aaya aur wo vichar ye tha ki maine apne bhai ke liye aage ka raasta
toh bana diya hai par uss raaste tak pahunchne ke liye bhi ek maarg ki zaroorat hai mera
bhai Prithvi par paida hone wala tha jiska arth tha ki wo khud bhi black energy ke maahoul
me ghire rehne wala tha toh aise me usse sach ka pata chal paana naamumkin tha aur
issliye mujhe pehle usse saara sach pata chal sake iske bare me batana tha par sawal tha
kaise? aur iska hal bhi mujhe mil gaya aur wo hal tha spear wo spear jo mere black energy
ke dhaarak hone ki wajah se kabhi meri nahi ho sakti thi par black energy ko iss satya ke
bare me nahi pata tha aur jab maine usse spear ko hathi yane ki baat kahi toh wo jhat se
maan gaya aur fir jab holy spirits se ladh kar main spear tak pahuncha toh maine black
energy se kaha ki uske rehte main spear ko nahi chhu sakta meri baat ka black energy ne
vishwas kiya aur mujhse alag ho gayi aur aisa hote hi maine spear ke andar apna sara sach
chhupa diya aur saath hi apne white energy ke kuch kan bhi usme daal diye ye maine
issliye kiya kyu ki meri hi tarah mere bhai ke andar bhi Gods son ke kan hone wale the
jiska matlab tha ki agar main apne kuch kan chhod dun toh mera bhai apne kano ko mere
kano me milakar ek baar bina black energy ko pata lagne diye mujhe sandesh bhej sakta
hai ye mera sabse mahatvapurna kaam tha jise maine kar liya tha par ab ek naye vichar
ne mere mann main janm liya aur wo ye ki jo raasta maine banaya haiuspar chalne ke
baad kisi na kisi mod par mera aur mere bhai ka dimagi takraav nischit hai aur agar main
iss takraav me haara toh koi baat nahi par agar jeeta gaya toh meri yojna kharab ho sakti
hai aur issliye maine ek nayi yojna banayi mere saaton saathi ab bhi pure soul the maine
unki madad se angels ko ek sandesh bheja jisme maine kaha tha ki unhe mujhse ladhna
hoga aur uss yudh me main dikhane ke liye unhe maar dunga par asal me main unse unki
urja lekar un sabko ek white energy se bane shell me bhej dunga aur unki urja me apni
urja milakar Prithvi me chhod dunga aur jab maine angels ko maarne ki baat apne andar
base black energy ko batayi toh wo khush ho gaya aur wo issliye kyu ki wo chaahe bhi toh
angels ko maarne ki anumati usse nahi thi par wo hamesha se aisa karna chahta tha usse
laga ki mere zariye uska ye sapna pura hone wala hai aur issliye usne iske liye khushi
khushi haan keh diya fir maine usse bataya ki angels ko maarne ke liye usse mere shrir se
bahar jana hoga kyu ki main ye kaam sirf apni white energy ke dum par hi kar sakta hun
black energy ne meri ye baat bhi maan li aur mujhse alag ho gaya fir maine wahi kiya jo
socha tha maine angels ki urja ko unsenikalal uss urja me apni urja ko mila diya aur aisa
hote hi uss urja ne apna rang badal khudko laal kar liya mera kaam hote hi vaade ke
mutabik uss urja ko phool ka roop de maine Prithvi bhej diya aur saare angels ko ek shell
me kaid kar diya uske baad maine Warriors World ke logon ko kaaiwa ka ras pilaya jiska
kaat wahi laal phool (rakht phool) the jinme meri aur angels ki urja thi mujhe ye bhi pata
tha ki heaven se nikalte waqt meri urja ka ek bohat bada hissa bhi earth hai aur uss hisse
ne bhi ek phool ka roop dhara hai (shweth phool) ye mere liye ek bohat achi khabar thi
kyu ki main janta tha ki kisi na kisi mod par mera aur mere bhai ka yudh bhi zaroor hoga
aur tab wo phool istemaal me aayega aur fir jaisa main chahta thawaisa hi hua jaise hi
Vikram Lord of Angels bana aur apne safar ke pehle padhav Dhawali jheel ko pura kar
usne spear ko apne haath me pakdatoh uss pal uske dimag me mere saath hui saari
ghatnaaye ghum gayi Vikram ko ye bhi pata chal gaya ki devil lord banane ke baad maine
kya kya kiya hai aur saath hi uske liye kis tarah ka raasta tayar kiya hai aur uske baad kya
kya hua ye sab toh aap sab jante hi hain Asmodeus ne apni kahani bata di thi jise sun Ronit
ke saath saath sabhi ke mouh khul gaye the

Ronit:- sorry bhai par aaj tak main tujhe hi planning ka master samjhta tha par tera bada
bhai toh tera bhi Guru hai Ronit ki baat sun main muskura diya par

Asmodeus:- tum galat ho Ronit aur wo issliye kyu ki tumne meri baat thek se suni nahi
yaad hai maine kaha tha ki maine spear ke andar mere kan chhode the taaki mera bhai
mujhe sandesh bhej sake jante ho Vikram ne mujhe kya sandesh bheja tha? tum sabke
saath jo bhi ghata haiwo saari chezen Vikram ne unhi kuch palon me soch kar sandesh ke
roop me mujhe bhej di thi matlab jo kuch bhi hua haijo kuch bhi wo sab Vikram ki hi yojna
thi Isla me mujhse yudh hona aur uss yudh me uska haarna ye ussiki yojna ke tahat hua
tha Courious me fasna waha ke couris vriksh ke maadhyam se mere khun ka uske andar
jana ye bhi Vikram ki hi yojna thi maine parivartak ko churaya tha maine ye issliye kiya tha
taaki agar kabhi mere bhai ki koi yojna viphal ho toh main parivartak ke sahare uss samay
me ferbadal kar sakun kintu Vikram ne meri yojna ko ek naya roop diya usne mujhe dark
energy ki nazro me aur bada banane ke liye parivartak ka istemal khudke nuksaan ke liye
karne ki yojna banayi Vikram ka astitv usse door honaBhuvika ka devil banana Anjali ko
gaayab karanaye sab issiki yojna ke antargat uthaye gaye kadam the agar ek vaakya me
kahu toh itni sadiyon ki tadap ke baad jo shanti mujhe aaj mili haiye Vikram ke kade nirnay
ke wajah se hi ho paya hai isne mujhe azaad karane ke liye khud ko aur unko jinse ye pyar
karta haiunhe tak dukh pahunchaya par agar ye aisa nahi karta toh main kabhi bhi azaad
nahi ho paata Asmodeus ki baat sun ek baar firse sabhi ke mouh khul gaye par iss baar
unke dhayan ke kendra main ban chuka tha

Ronit:- bhai main apne shabd wapas leta hun tu Guru tha hai aur hamesha rahega

Main:- chup be nautanki yaha Asmodeus saare raaz hamare saamne khol raha tha par ye
sab khulasa sirf hum hi nahi koi aur bhi sun raha tha aur wo tha black energy aur jaise hi
hamari baat khatam hui mmmnn ek ajeeb si awaaz hamare piche si hui ye awaaz aur kisi
ki nahi black energy ki hi thi jo hamari baatein sun bohat zyada ghusse me thi aur apni
puri shakti lagakar khudko aazad karne ki koshish kar rahi thi har pal uski hulchal badhti
hi jaa rahi thi aur fir achanak boomm ek tez dhamake ke saath meri urja se bana pinjra
blast ho gaya aur aisa hote hi black energy tezi se hamari taraf badhi jahan ye nazara dekh
sabhi hadbada se gaye the wahi main shant hi tha aur nlack energy ko apni aur badhta
dekh main turant sabke saamne aa gaya tha ab ye meri aakhri jung thi aur isse mujhe
taakat se nahi ballki buddhi se ladhna tha aur iss jung me Asmodeus mera saath nahi de
sakta tha kyu ki abhi bhi Asmodeus ki angel form ke bahar black energy ki parat thi jiska
matlab tha ki wo abhi bhi azaad nahi hua tha agar wo black energy ke saamne aa jata toh
black energy turant uske andar sama jati par main aisa hone nahi de sakta tha aur main
ye bhi achi tarah se janta tha ki mujhe kya karna hai maine iss pal ke liye bhi sabkuch pehle
se soch liya tha aur issliye jaise hi wo black energy hamare aur thoda kareeb pahunchi
maine apna haath aage kar diya mere aisa karte hi meri white energy sidhe jaakar uss
black energy se takrayi dono hi shaktiyan apne pure dum kham se ek dusre se bhidi hui
thi par ye kya? black energy dheere dheere meri energy ko piche dhakelte hue meri taraf
aane lagi aur ye sab dekh mere sabhi gharwale ghabra se gaye par wo iss baar kuch bhi
nahi kar sakte the sabhi dum saadhe iss drishya ko dekhe lage wahi dheere dheere black
energy meri energy ko dhakelte hue mere kafi paas aa chuki thi aisa lag raha tha ki kuch
hi palon me main uski chapet me aa jaaunga par tabhi

Main:- bewakuf ab toh samjh jab jab hum haarte hue dikhen toh samjh jana ki hum jeetne
wale hain black energy ko dekh maine ye baat kahi jise wo samjhne ki koshish me lag gaya
aur tabhi

Main:- Avantika abhi chaarita absorbtance jaise hi maine Avantika ka naam liya Avantika
turant mere piche aakar khadi ho gayi aur uske aisa karte hi maine spell bola jiske uccharit
hote hi meri back se ek ray nikal Avantika par padi aur agle hi pal Avantika mujhme sama
chuki thi aur jaisa hi aise hua maine apna haath jise aage kar maine black energy ko roka
hua tha usse hata liya aur aisa hote hi black energy sidhe mujhse takrayi aur agle hi pal
mmm ek ejeeb si awaaz uss black energy se nikalne lagi jo ki uske chat pataane ki wajah
se aa rahi thi aur reason simple hai yaar iss bramhaand ki sabse shakti shali kawach thi
meri Avantika aur uske mere andar samane se wo kawach mujhme transfer ho gayi thi
aur jaise hi black energy ne mujhe bhedne ki koshish ki toh uski takkar ussi kawach se hui
jise chhute hi black energy ki haalat patli ho chuki thi aur wo jal bina machli ki tarah tadap
rahi thi wahi apna kaam pura hote hi maine Avantika ko khudse bahar nikal diya tha

Main:- mere bhai ke andar se apne kan bahar nikaal meri baat sunne ke baad bhi black
energy ne kuch nahi kiya aur issliye

Main:- Avantika jaakar isse ek baar firse chhuo zara mere aisa kehte hi bhoop iss awaaz
ke saath black energy gaayab ho gayi aur aisa hote dekh main muskura utha

Ronit:- abbe tu hans raha hai wo gayab ho gayi hai


Main:- gayab hone ka waqt toh tum sabka bhi ho gaya hai apne apne shield ke paas jaao
aur jaise hi main kahu usse activate kar dena mere aisa kehte hi Defender Ronit Anjali
Akshaant Shaila aur Mokalsar gayab ho gaye aur sidhe pahunche apne apne shield ke paas
sirf wo teeno hi nahi balki unke saath saath saare angels bhi apne apne shield ke paas
pahucnh chuke the

Avantika:- Vj inhe kya hua? ab tak kisika bhi dhayan meri uss urja ki taraf nahi gaya tha
jise bhed kar black energy azaad hui thi meri wo urja akeli nahi thi balki uske saath the
seven opostles bhi the jo uss blast ki wajah se neeche behosh hokar gire hue the

Main:- ye sab behosh hain par ye sab tabhi hosh me aayenge jab Asmodeus aazad hoga
kyu ki Asmodeus ke jis angel form ko hume azaad karana hai usse ye saathon bhi jude
hain jaise hi wo part azaad hoga ye uth jayenge yaha hum baat kar rahe the aur waha
black energy ne khudke sabhi ansho ko pure bramhaand ke har jeeven daayi grah me
vibhajit kar diya tha aur wo saare ansh bade bade kaale baadalon sa roop liye har grah ko
barbaad karne chal pade the aur jaise hi wo saare ansh sabhi planets ke orbit ke paas
pahunche

Main:- abhi tejasate activate mere abhi kehte hi Ronit Anjali Defender Mokalsar Akshaant
Shaila aur saare angels ne ek saath apne apne shield ko chhukar iss spell ko uchharit kiya
aur unke aisa karte hi sabhi ke shield ek saath activate ho gaye sabhi shields ek formation
banate hue ek dusre ke saath jud gaye aur jaise hi black energy ke saare ansh angels ke
shield se takraaye shield ne ek jaal ka roop le liya jisme saare black energy ke kan fas gaye

Ronit:- oh teri ki to saale ne issliye hume bola tha apne apne shield ka kano ko yaha rakhne
ke liye iss saale ko main kabhi bhi samjh paaunga bhi ki nahi

Main:- samjhna chhod aur wapas aa parcel apne aap yaha pahunch jayega mere aisa bolte
hi Ronit Anjali Defender aur Vrihakh waasi gayab hokar mere saamne prakat hue wahi
angels shield machalti tadapti black energy ko liye hamare paas aane ke liye nikal gayi aur
kuch hi palon me black energy ek baar firse mere saamne thi

Main:- tujhe kya laga ki tu manmaani karegi? tera astitv issliye zinda hai kyu ki manushya
ne khud ki khushi se tera tyag nahi kiya hai jis din aisa huatu hamesha ke liye khatam ho
jayegi par filhaal ke liye agar tu azaad hona chahti hai toh pehle mere bhai ko azaad kar
meri baat sun black energy ne ek kaali ray ke sahare hawa me kuch likha jo tha

Black energy:- kabhi nahi iss bandhan me bhi main sirf kuch hi der ke liye kaid hun jaise hi
main azaad hui tera bhai ek baar firse mera gulaam hoga black energy ne jo likha tha wo
sach tha angels shield bhi usse zyada der tak control me nahi rakh sakti thi iska koi
permenant solution chahiye tha jo ki filhal mere paas nahi tha main ye sab soch hi raha
tha ki tabhi mere saamne ek tez roshni hui aur aisa hote hi meri aankhen chamak uthi iss
udhed bund me main ye bhul hi gaya tha ki bhavishwaani ne kaha tha ki wo aakhir me ek
baar aur saamne aayegi aur wo aa gayi aur iss baar bhavishyawaani ki chamak ko sirf main
hi nahibalki sabhi dekh rahe the kuch der tak chamakte rehne ke baad bhavisyawaani
aakhri baar chamki aur gaayab ho gayi aur chhod gayi mere chehre par ek muskaan main
jaan chuka tha ki bhavishyawaani ki kahi baat ka matlab kya hai aur mere saath saath
Asmodeus bhi samjh chuka tha aur issliye

Asmodeus:- nahi Vikram aisa karne ki zaroorat nahi hai

Main:- zaroorat hai bhai aur tu dil chota mat kar main bhi yahi chahta tha Ronit Anjali
Mokalsar Akshaant Shaila jo bhavishyawaani me bataya gaya hai uska matlab hai ki

Sab:- hume malab pata hai

Ronit:- bhai tu yaad kar ki kya kaha tha humne tere liye toh hum apni jaan bhi de sakte
hain fir ye chizen toh koi maayne hi nahi rakhti

Anjali:- haan Vj aur dekha jaye toh hum iske bina hi thek the yaar

Akshaant:- hume bas iss baat ki khushi hai ki hum tumhare saath milkar ye jung ladh paye

Shaila:- bilkul aur saari umr hume iss baat ka garv rahega ki hum tumhare dost hain

Mokalsar:- bhale hi tune hume khudke aage sar jhukane se mana kiya haipar hamara dil
tere har faisle ke aage jhuka hua hai jo tere liye sahi hai wo hamare liye bhi sahi hoga

Sab:- aur sabse khushi ki baat kya hai pata haiki iss aakhri daav me hum sab ek saath hain
kisiko bhi mere doston ki baat samjh me nahi aayi par wo sab chup hi rahe wahi apni apni
baat keh mere dost mere baaju me aakar khade ho gaye

Ronit:- toh shuru kare?

Main:- ek saath

Sab:- ek saath samuparahati sampurn shaktiyem sacrificing all powers ji haan doston yahi
tha bhavishwaani me kahe gaye aakhri baat kaa matlab agar mujhe Asmodeus ko bachana
tha toh mujhe aur mere un doston ko jinhe maine shakti di thi unhe apni apni shakti ka
balidaan dena tha jo hum de rahe the hamare ek saath apne apne iss zindagi ke aakhri
spell ko uccharit karte hi angels ki shield toot gayi uske tootte hi black energy firse gaayab
hone ko hui par isse pehle ki wo aisa kar paati hum sab ke pure sharir se hamari urja bahar
nikli aur sidhe jaakar black energy se takra gayi aur agle hi pal boomm ek tez dhamake ke
beech black energy ke saare kan ek jagah akad se gaye wo bilkul hil bhi nahi paa rahe the
aur dheere dheere un saare kano me kampan hone lagi wahi apni saari urja bahar nikalne
ki wajah se hum sab neeche zamin par girne lage par isse pehle ki hum neeche girtehume
hamare gharwalon ne thaam liya par hum 6 dost behosh ho chuke the hamare sabhi
gharwale bohat ghabraaye hue the par bas Asmodeus shaant khada tha maano wo janta
hai ki kya hone wala hai in sabse alag ab black energy ke kano me aur zyada kampan hone
lagi thi jiska matlab tha ki agar jaldi hi wo thek nahi hui toh wo apni shakti hamesha ke
liye kho degi uska astitv toh insaano ke beech rahegapar jaise har din uski shakti badhti
jaa rahi haiwo fir kabhi nahi hoga aur aisa black energy bhala kaise hone deti aur issliye
un jakde hue black energy ke kano ke beech se ek kaali ray nikal sidha Asmodeus ke seene
ke beech lagi aur aisa hote hi Asmodeus ka sharir upar hawa me uth gaya aur dekhte hi
dekhte uska kaala libas safed hone laga jiska matlab tha ki uski aatma jispar black energy
ne kabza kar liya tha wo ab wapas apne angel form me aa rahi thi kuch der tak Asmodeus
ka sharir yunhi upar utha raha aur jaise hi black energy ne apne saare kan uske sharir se
wapas kheenche Asmodeus ka sharir wapas zameen me aa gaya tha Asmodeus ke wapas
angel bante hi saare devils jo jadh hue abhi tak ek jagah par khade the wo gayab ho gaye
itna hi nahi Asmodeus ko azaad karne ki wajah se black energy bhi azaad ho gayi aur agle
hi pal wo bhi gaayab ho chuki thi darasal baat ye thi ki black energy ne Asmodeus ki urja
se hi devils banaye the aur agar saare devils ek saath mar jaate toh Asmodeus bhi ek anant
neend me chala jata issliye devils ko maarne se pehle Asmodeus ka angels form me loutna
zaroori tha aur issliye hi maine mere doston ko devils ko maarne se roka tha ye saara
drishya hum sabke ghar wale aur Defender dekh rahe the aur wo sab bhi Asmodeus ke
liye bohat khush the aur jaise hi Asmodeus wapas zameen par utratoh uske agle hi pal
saare angels aur Gods messenger uske saamne prakat hue aur aaj najane kitni sadiyon ke
baad wo sab Asmodeus the creature of judgement ke aage jhuk gaye the aur ye sab dekh
Asmodeus muskura utha wo chalta hua mere paas pahuncha aur neeche baith pyar se
mere baal ko sehlaya uske haathon se ek roshni nikal mere sar me sama gayi aur aisa hote
hi meri aakhen khul gayi ye roshni sirf meri hi nahi balki mere sabhi doston ke andar bhi
gayi thi jiski wajah se un sab ki bhi aankhen khul chuki thi aakhen khulne par jaise hi meri
nazar Asmodeus par gayi toh main muskura utha mera bhai apne asli roop me tha issi din
ke liye hi toh mera janm hua toh main bata nahi sakta tha ki main aaj kitna khush tha kuch
waqt tak uske iss roop ko dekhne ke baad main khada hua mere saath saath mere dost
bhi khade ho gaye the maine dekha ki saare angels bhi waha moujud hain aur iss waqt
Asmodeus ke samman me jhuke hue hain itna hi nahithe seven opostles bhi ab hosh me
aa chuke the aur wo bhi Asmodeus ke samman me jhuke hue the ye dekh meri khushi aur
badh gayi dekha jaye toh ab mujhe bhi uske aage jhukna tha aur issliye main uske aage
jhukne ko hua par Asmodeus turant aage badha aur usne mujhe aisa karne se rok diya

Asmodeus:- koi bhi apne ohde aur apne naam se bada nahi hota kaam se hota hai aur
tere kaam ke aage mera naam bohat chota hai mere bhai issliye tu mere aage nahi balki
main tere aage jhukunga ye bol Asmodeus mere aage sach me jhuk gaya par maine bhi
turant usse upar utha diya

Main:- main aapke ohde ki wajah se nahi balki hamare rishte ki wajah se jhuka tha ek
chote bhai ki tarah

Asmodeus:- teri jagah mere pairon me nahi balki mere dil me hai bhai ye bol Asmodeus
ne mujhe gale laga liya hum sabko yun gale lagte dekh sabhi bohat khush the hum dono
bhai yunhi gale lage hue hi the ki tabhi

Asmodeus:- father Asmodeus ke ye kehte hi main usse alag hua main usse kuch kehta ki
tabhi hum sab le saamne hawa me ek roshni chamak uthi is roshni ka tej bohat zyada tha
par fir bhi aankhon ko sukoon de raha tha aur iska sirf ek hi matlab ho sakta tha aur wo
ye ki ye roshni aur koi nahi balki khud God the

God:- tumhari niyati puri hui putr mujhe garv hai tumpar jaise hi ye awaaz gujinji sabhi ke
haath aapas ke jud gaye sabhi ek tak uss roshni ko mehsoos karne me lag gaye the

God:- Asmodeus aaj tum wapas apne purane roop me loute ho ummid hai ki tumhare
bhai ki hi tarah tum bhi apne iss roop aur ohde ka maan rakhoge

Asmodeus:- ji father hum dono se baat karne ke baad ab baari thi hamari families ki ya fir
ye kahu ki manushya ki

God:- main dekh raha hun ki aap sab ke mann main mujhse Aashirwaad prapt karne ki
iccha jaagrit ho rahi hai ye acchi baat hai par mera ek prashn hai? aur wo ye ki kya sach
me tum manushyon ko mera aashirwaad chahiye? kya tumhe sachme iski zaroorat hai?
God ke sawal ka matlab kisiko bhi samjh me nahi aaya aur iss baat ko God bhi jante the
aur issliye

God:- samjhata hun vistaar se samjhata hun manushya jati mere dwara banayi gayi
yoniyon me shrestha yoni ek aisi yoni jise maine ek aisa mastishk diya hai jise wo kuch bhi
prapt kar sakta hai kuch bhi ban sakta hai aur saath hi ek aisa dil bhi diya hai jise wo har
ehsaas ko mehsoos kar sakta hai par in dono hi aashirwaadon ka upyog ulta hi kiya hai
manushyon ne jis dimag ko sakaratmak cheezon ko sochne avum kaarya me lane ke liye
diya gaya tha usse manushya vidhwanshi cheezon ke bare me soch kaarya me laata hai
manushya ko maine ek grah diya rehne ke liyeaur uss ek grah ko manushyon ne milkar
alag alag hisson me baat diya ek niyam tha jo manushya jati par laagu hota tha aur wo ye
ki ek saath miljul kar rahe par tumne kya kiyakhud hi khudko sabse alag karte chale gaye
kitni ajeeb baat hai naaki manushyajati ko maine banaya aur fir baad me jab manushya
samajdaar bana toh usne mujhe hi bana diya apne hissab se roop diya naam diya aur meri
hi aad lekar alag alag samudaaye banaye maan yataaye banayidharm banaye kintu dekha
jaye toh dharm ki neeVjis cheez par rakhi gayi wo galat nahi thi kyu ki har dharm ka shroth
aur mukhya udheshhya ek hai aur wo shroth hai insaaniyat par iss shroth ko chhod baaki
sabka paalan kiya manushya ne har dharmgranth me manushya ke sahi jeeven yaapas ka
maarg dikhaya gaya hai kintu har vyakti uss granth ke unhi niyamo ka paalan karta haijo
uski suvidha anusaar hote hain baaki har baat ko jo zyada zaroori hai usse wo nazarandaz
kar deta hai tum jis desh me rehte ho ussime najane kitne hi dharm hain aur har dharm ki
apni apni visheshta hai koi raam ko maanta hai koi allah ko maanta hai koi Guru Govind
Singh ko maanta hai toh koi Isaa Masih ko maanta hai par wahi log ram ki nahi maante
allah ki nahi maante Guru Govind Singh ki nahi maante Isaa Masih ki nahi maante toh fir
faayda hi kya? aur issliye maine pucha tha ki kya sach me tumhe mera aashirwaad chahiye
tum manusyon ke sath jab bhi kuch acha ya bura hota haitoh tum mujhe yaad karte ho
par main toh tumhare karmo ke raaste me hun hi nahi toh fir mera naam beech me aaya
kaha se? naa hi main tumhare ache karmo me tumhara baadhak ban sakta hun aur naahi
tumhare bure karmo me tumhara sahayak ho sakta hun tumhare jeeven ka faisla tumhare
karm tay karte hain main nahi karm Jairaj tum iss karm shabd ke sabse bade udaharan ho
tum aaj jo kuch bhi ho uske peeche sirf tumhari hi mehnat hai mera aashirwaad nahi
manushya jati me paida hone wale har vyakti ka jeeven ek mahan lakshya ki taraf agrasar
hona chahiye mujhe ek baat bataoaaj jo zindagi tum ji rahe hokya usse mahaan kaha jaa
sakta hai? tum apni kamayi ka 10wa hissa daan dete ho kya tumhe lagta hai ki itna kafi
hai ya fir ye batao ki jitna hissa tum apne paas rakhte hokya utna hi tumhare liye kafi nahi
hai? mere kehne ka ye arth hai ki raat ko jab tum apne pariwaar ke saath bhojan karte
hotoh kya tumhe iss baat ka ehsaas hota hai ki ussi waqt door kahi koi bacha bhuk se
tadap raha hoga koi maa apne hisse ka khana apne pariwar me kisi ko paros rahi hogi jab
tum apne aalishan mehel jaise ghar ke kamre me sote hotoh kya tumhe ye khayal kabhi
aata hai ki door kahi koi khule aasmkn ke neeche leta thand se thi toor raha hoga itni
daulat ka kya laabh putr jab wo kisike kaam hi naa aa sake tum toh khud ek anath the
bohat bura waqt dekha hai tumne toh tumhe nahi lagta ki ab jab tum saksham hotoh
tumhe tumhare hi tarah bachpan guzarne wale bachhon ke liye kuch karna chahiye
tumhare hi tarah naa jane kitne hi bache anath honge tumhe unka pitah ban unki zindagi
sawarni chahiye jitna tumne abhi tak kamaya hai utna hi tumhare saath pushton ke liye
kafi hai par shayad tum aisa nahi sochte ye zindagi tum sabki apni hai ispar aur kisika hak
nahi jo dil me aaye karo bas itna yaad rakho ki jis yoni me tum sabne janm liya hai agar
uss yoni me bhi tum sirf apne bare me hi soch rahe ho toh tumme aur ek jaanwar me koi
fark nahi hai meri baaton ko sun tum sabhi ko lag raha hoga ki main manushya jati ke
khilaaf hun par aisa nahi hai kyu ki agar aisa hotatoh ab tak tum sabki hasti mit chuki hoti
jis aashirwaad ki laalsa liye tum sab khade ho wo aashirwaad maine tabhi de diya tha jab
tumhari jati ko maine janm diya tha ek aisa aashirwaad jo avishaap bhi hai

Aashirwaad:- agar apne buddhi ko ache kaamo ke liye prerit kar upyog me laaoge toh
tumhara aur tumhare sansaar ka uddhar nischit hai

Avishaap:- agar apni buddhi ko galat kaamo ke liye prerit kar upyog me laaoge toh
tumhara aur tumhare sansaar ka vinaash nishchit hai Vikram putra tumne sahi kaha tha
tum Jairaj Singh ke bete ho par sirf tak tak jab tak tumhare manushya jeeven ka anth nahi
ho jata jis din bhi tumhari aatma ne tumhara ye sharir tyagaus din se tum sirf mere putr
kehlaaoge aur apne bhai ke saath milkar apne Lord of Angels ke ohde ko sambhaloge
Ronit Anjali Akshaant Mokalsar Shaila tum sabne jo tyag aaj dikhaya hai uska fal tum sab
ko milega Vikram ki hi tarah jis din tumhari aatma tumhare sharir se alag hogitoh tum
sabko bhi angels me sthan milega Asmodeus Beelzebub ko bahar nikalo Beelzebub ko
Asmodeus ne apne andar hi rakha tha kyu ki ussi ki tarah Beelzebub ko bhi black energy
ne devil banaya tha Bhuvika ke white energy ki wajah se Beelzebub ke andar ki black
energy kamzor zaroor padh gayi thi par fir bhi wo uske andar hi thi par Asmodeus ko azaad
karte waqt black energy ne Beelzebub ko bhi azaad kar diya tha God ke aadesh dete hi
Asmodeus ne Beelzebub ko apne andar se bahar nikala Beelzebub bhi iss waqt angels ke
kapdon me tha aur bohat khush lag raha tha God ko apne saamne dekh wo bhi jhuk gaya

Ronit:- dheere se acha toh issliye hi isne kaha tha iss shraapit zindagi se nikaalne ke liye
dhanyawad kuch yaad aaya doston Bhuvika ke dwara khatam hone se pehle Beelzebub
ne kuch kaha tha jise sun sabhi shocked hue the wo yahi baat thi

God:- Defender aaj se aap sirf Isla aur Warriors World ke hi nahi balki pure bramhaand ke
defender honge aur isme aapka saath "the heir of white energy" Beelzebub dega God ki
baat sun Defender aur apna naya ohda jaan Beelzebub khush ho gaye
God:- Alesendra agar tum chaaho toh heaven me Asmodeus ki patni ka sthaan le sakti ho

Alesendra:- ye mera soubhagya hoga Alesendra ne Asmodeus ko dekhte hue kaha

God:- tum saath (the seven opostles) tumne apna daayitv puri nishta ke saath nibhaya
issliye ab tum sab bhi mere matlab Gods messengers kehlaoge

God:- Avantika Vikram hi ki tarah manushya jeeven ko tyagne ke pashchat tum heaven
me bhi mere bete ki shakti ke roop me uske saath rahogi God ki baat sun Avantika ka
chehra khil utha

God:- Vikram tum aur tumhare doston ki aloukik shaktiyan hi tumse li gayi hai tum sabki
shaaririk shaktiyan ab bhi tum sabke paas hi hai aur jaisa ki maine kaha ki tum sab ki asli
shakti aur ohda tum sab ka intezar karega ye jo chizen hui uski wajah se aap sabke jeeven
me uthal puthal hui issliye main samay ko wapas piche le jaa raha hun ussi samay par jab
aap sab Lonavla me apne farm house me the God ke ye bolne ke agle hi pal hum sabke
aakhon ke saamne ek flash sa hua aur fir sabki aakhen ek baar firse badi ho gayi kyu ki ab
hum sab parallel world ke gufa me nahi balki apne farm house ke hall me khade the

God:- waqt ghum chuka hai jo bhi uthal puthal hui thi ab wo kissa mit chuka hai iske baad
God ki awaaz nahi aayi jiska matlab tha ki wo jaa chuke the God ke jaate hi hi Asmodeus
mere mom dad ke paas gaya aur unke pair chhue

Asmodeus:- maine kehne ke liye hi aap dono ko mom dad nahi kaha tha maine dil se aap
dono ko apne maata pitah ka darja diya hai Asmodeus ke sar par haath rakh mere oh sorry
hamare mom dad ne usse aashirwaad diya

Ronit:- bhai har sawal ka jawab mil gaya bas do reh gaye hain

Asmodeus:- yahi naa ki jab maine kisi bekasur ko maara nahi toh Madox aur Digvijay ki
mom jo ki bekasur thi unhe kyu Madox ke haathon marwaya aur jab mom dad mare hi
nahi the toh Vikram itna upset kyu tha?

Ronit:- jawab bhi ek saath hi de de bhai

Asmodeus:- kyu ki Madox aur Digvijay devils theisilye unhe janm dene ki wajah se unki
mom bhi ussi shreni me chali gayi thi aur agar wo sadharan tarike se marti toh unki aatma
ko bhi ussi andhakaar aur dard bhare duniya me jana padta jahan har devil tadapta tha
aur isse bachne ka ek hi tarika tha aur wo ye tha ki unhe khud unka beta maare jise unki
aatma shudh ho jaye aur maine wahi karwaya aisa hi kuch Alesendra ke saath bhi hua tha
na chaahte hue bhi wo ek devil ki mom bani thi par khudki kubaani dekar usne bhi apne
aap ko uss paap se mukt kar liya aur jahan tak baat Vikram hi hai toh wo jawab yahi dega

Main:- haan ab toh yahi bologe naa arre yaar sab planning bhale hi meri thi par mom dad
ko maarne ka dhong maine isse karne ko kaha tha par isne mujhe hi fasa diya tha aur
upset main issliye tha kyu ki main soch raha tha ki Asmodeus ne agar hum insaano ke bare
me galat nahi socha hotaheaven se nahi nikla hota toh ye sab prapanch karne ki zaroorat
hi nahi padti par fir main samjh gaya ki jo huausse hona hi tha (aapko yaad hoga doston
ki God ne Vikram ko kuch scenes dikhaye the wo issliye hi dikhaye the taaki Vikram samjhe
ki Asmodeus kyu insaano se naraz hua tha)

Ronit:- oh aisa

Main:- haan aisa ab bina khaye chup khada reh thodi der iske baad Asmodeus mere pure
parivaar se mila aur zindagi me pehli baar Alesendra apne bete Beelzebub se lipat kar royi
aansu Beelzebub ke aankhon me bhi the par wo khushi ke the kuch der tak bete ke gale
lage rahne ke baad Alesendra usse alag Asmodeus ke gale lag gayi

Main:- toh ab bani aap hamari official bhabhi meri baat sun Alesendra aus Asmodeus ke
chehre par muskaan naach gayi sabse ek baar dobara mil aur mujhse gale lag Asmodeus
meri bhabhi Alesendra aur mujhse hazaron saal bada mera bhatija Beelzebub gayab ho
gaye

Main:- chalo tension khatam ahhh mom kaan kyu pakde ho mera aap? maine kya kiya?

Mom:- kaan kyu pakdi hun haan? itni badi baat chhupayi tune humse?

Main:- kaun si baat? sab toh pata hai aap sabko

Mom:- chup tune hume bataya kyu nahi ki tu aur Avantika ek dusre se pyar karte ho?
what?

Main:- lag gayi what ka response mere un family members se aaya tha jo iss bare me kuch
bhi nahi jaate the waise toh un sabne God ki Avantika se kahi baat suni thi par wo samjh
nahi paye the par mom ki baat sun sabhi sab samjh chuke the

Ronit:- par aunty aapko kaise pata chala?

Mom:- aur kaise? mere bade bete ne bataya jab hum sab uss cube ki duniya me the toh
isse aur usse related saari baaein hume pata chal gayi thi

Main:- arre mom aap kaha uski baaton me aa gaye wo toh hai hi shakuni buddhi wala
Dad:- oye chup kar shakuni buddhi ka theka tum dono ne hi liya hua hai aur waise bhiusne
toh abhi abhi hume ye sab batayapar tum dono toh kafi time se ek saath ho ab main kya
kehta

Main:- arre main sahi time ka wait kar raha tha?

Mom:- acha kaun se sahi time ka?

Main:- ye abhi issi time ka toh wait kar raha tha main

Ronit:- chup be noutanki chupchaap sorry bol aur shayadi ka mouhurt nikalwa issi bahane
tere saath saath hamari bhi ho jayegi Ronit ki baat sun Anjali aur Avantika dono ke hi gaal
sharm se laal ho gaye

Akash uncle:- kamal hai ek ladka kuch kehta nahi aur dusra shayadi tak pahunch jata hai

Main:- ab nange ko kaisi sharm uncle khair chhodiyeisse miliye aapki bahu ye bol maine
Avantika ka haath pakda aur sabke beech usse khada kar diya mere aisa karne se Avantika
ki sharm aur badh gayi khair meri baat sun pehle sab hase aur uske baad sabhi ne Avantika
ko gher liya aur fir shuru hui inki baatein jinhe suna main aap sabko bore nahi karunga aur
issliye

Fast forward scenes:

hum sabki zindagi wapas track par aa gayi Avantika ke gharwalon se bhi mere gharwalon
ne baat kar li aur thank God unke ghar wale bhi hasi khushi hum dono ke rishte ke liye
maan gaye warna khamakhwah iske upar bhi ek story likhni padti meri Avantika ki aur
Ronit Anjali ki shadi hamare education complete hone ke baad fix kar di gayi ab dad aur
uncle ki company se jo profit hota tha uska 90 profit donate kiya jata tha Vrihaak waasi
wapas Isla aur Warriors World lout gaye apne bete ke wapas aane ke baad bhi Lord
Crusedar ne apna shashan Mokalsar aur Akshaant ke haathon me hi soumpa aur iss baat
se unki family walon ko bhi koi problem nahi hui Bhuvika toh Courious waasi thi issliye
usse wapas apne grah loutna pada Defender aur Beelzebub God ke kahe mutabik pure
bramhaand me shanti failaye rakhne ka daayitv nibhane lage aur hum sabse upar
Asmodeus apni patni yaani meri bhabhi Alesendra ke saath apne ohde creature of
judgement ko sambhal raha tha par uski nazre har waqt mujhpar hi rahti thi issi tarah
waqt apni raftaar se aage badh raha tha par aise hi ek roz

Avantika:- kaha jaa rahe ho?


Main:- paani khatam ho gaya hai wo shop se ek bottle lekar aata hun sunday ki ek subah
main aur Avantika yunhi long drive par nikle the highway ke side me mujhe ek general
store dikhi jise dekh maine car side me lagayi aur paani ki bottle lene dukan ki taraf chal
pada thek ussi waqt heaven me:

Alesendra:- kya baat hai? aap bada muskura rahe hain?

Asmodeus:- main soch raha tha ki ab jab mere bhai ke paas uski beshumar shaktiyan nahi
hain aur ab jab wo ek saadharan manushya ki zindagi ji raha hai unhi kamzoroyon ke saath
jo ek manushya me hoti hai toh kya aise me aaj bhi uska mann waisa hi hai jaisa Lord of
Angels ke waqt hua karta tha

Alesendra:- ye toh mujhe nahi pata par itna zaroor bata sakti hun ki aapke dimag me kuch
na kuch masti chal rahi hai Alesendra ki baat sun Asmodeus muskura utha

Asmodeus:- dekhti jaao sab pata chal jayega Asmodeus ki baat sun uske saath saath
Alesendra ki bhi nazar neeche mujhpar tik gayi shop se paani ka bottle lekar main jaise hi
palta toh meri jaan halak par aa gayi reason Avantika car se utar kar road ke ek corner par
apne mobile se baat kar rahi thi aur thek ussi road ke dusre kone me ek chota sa bacha
akela khada hua tha par mere achanak darne ki wajah thi wo do trucks jinme se ek
Avantika ki taraf badh rahi thi aur dusri uss maasum bache ki taraf aur un trucks aur
Avantika aur bache ki doori bas 5 seconds ki thi meri sharirik shakti toh abhi bhi mere paas
thi par fir bhi main itna tez nahi tha jo dono ko ek saath bacha leta main kisi ek ko hi bacha
sakta tha aur issliye maine ek faisla kiya aur faisla karte hi maine doud laga di aur kuch for
seconds me hi main uss bache ke paas tha mere usse uthate tak hi dusri truck Avantika ke
paas pahunch chuki thi aur ab main kuch bhi nahi kar sakta tha bache ko apne baahon me
samet maine apni aakhen band kar li aur kya hua? aise kyu khade ho? aur tum iss taraf
bhaage kyu? ye awaaz mere piche se aayi thi jise sun main jaise hi palta shocked reh gaya
reason mere saamne Avantika khadi thi usse dusri side dekh main turant uss taraf palta
jahan par maine Avantika aur truck ko dekha tha par jaise hi main uss taraf palta main
firse shocked ho gaya reason waha par kuch bhi nahi tha road pura khaali tha

Avantika:- kya hua? kya dekh rahe ho? aur ye haath kyu baandh rakhe hain? Avantika ki
baat sun jab maine apne haathon ko dekha toh jahan kuch der pehle ek bacha tha wo
haath ab khaali the kuch nahi tha unme par iss baar main shocked nahi hua bas hans diya
reason main jaan gaya tha ki ye sab mere bade bhai ki kaarastaani hai saala mujhe test
kar raha tha

Avantika:- ab hans rahe ho? ho kya raha hai?


Main:- kuch nahi yaar wo mujhe laga ki yaha koi hai jise main janta hun issliye doudta hua
yaha aaya

Avantika:- acha aur haath kyu baandhe hue hain tumne

Main:- socha ki jab tum mere paas aaogi toh tumhe aise hi tightly hug karunga

Avantika:- hain

Main:- oh sherlock holmes ki maa bas kar yaar kitne sawal puchegi

Avantika:- waah khudhi ajeebo gareeb harkat karte ho aur mujhe kehte ho

Main:- hum toh shuru se hi ajeeb hain tumhe abhi pata chala khair chalen?

Avantika:- chalo main Avantika ko liye car ki taraf chal pada chalte hue maine jab upar
dekha tab mujhe aasman me Asmodeus ka hasta shararti chehra dikhayi diya

Main:- aap mujhse meri shakti cheen sakte hain mera astitv chhin sakte hain mera ohda
le sakte hain par ek chiz aap mujhse kabhi nahi le sakte mera attitude

THE END

You might also like