Poems
WAQT
Waqt sone ka tha
Yaadein jaag uthi ,
Jism sukoon mein tha
Magar rooh kaanp uthi !
-thepoetunknown
HAADSE.
Haadse zindagi mein
Kuch aise hogaye hain !
Hum samandar se jyada
Gehere hogaye hain ! !
-thepoetunknown
KHAYAL.
Waaqt mile toh
Khayal karna humara bhi ,
Warna waqt ke kaafile mein
Piche choot jata hai zamaana bhi ! !
-thepoetunknown
MUHABBAT.
Ab aisa nahi hai ki
Tum nahi toh koi aur nahi hogi ,
Lekin !
Jaisi muhabbat tumse hui hai
Kisi aur se kabhi nahi hogi ! !
-thepoetunknown
DHOKHA.
Dar dar ki thokarein
Khaya hun !
Kal hi zakham bhare hain
Aaj hi toh muskuraya hun ! !
- thepoetunknown
KAM HOTI MULAKATEIN.
Had se jyda badh jaaye talluq
Toh gam milte hain !
Isiliye hum har shaks se
Thoda kam milte hain ! !
- thepoetunknown
SAMANDAR.
Main saahil kinaare
Samandar se ruth gya ,
Wo samandar hoke bhi
Meri aankhon mein doob gya .
- thepoetunknown
Main khokhla sa shareer
Aur tu meri jaan priye ,
Main awaara sa badal
Aur tu mera asmaan priye !
िप्रये
मैं खोखला सा शरीर
और तू मेरी जान िप्रये ,
मैं आवारा सा बदल
और तू मेरा आस्मां िप्रये !
- thepoetunknown
UMEED.
Wo umeed hi kya
Jo mujhe naraz na kare ?
Aur wo chahat hi kya
Jo ishq ka agaaz na kare !
- thepoetunknown
arz hai !!
Ki kuch chizon pe
Dhyaan nahi de pata hoon !
khud ko dekh
Aaine mein roz muskurata hoon ! !
- thepoetunknown
Aur kitna hi
Bura ho jayega mere sath ?
Dekh na
Kahan hi hai mere hath mein tera hath ?
- thepoetunknown
PYAAR.
Jo mujhe samjh jaaye
Aisa mila mujhe yaar kahan ?
Aur jo mere hisse aa gira
Wo asliyat mein pyaar kahan ? ?
- thepoetunknown
MASHROOF.
Main mashroof
meri mushkilon mein !
Tum khushnuma
apni zindagi mein ! !
- thepoetunknown
MULAKAAT.
Ek sheher mein reh kar bhi
Baat nahi hoti !
Aaj kal humari
Mulakaat hi kahan hoti ?
- thepoetunknown
FAASLE.
Ye kuch dino ka silsila
Ye umar bhar ka faasla,
Tu mat samjh tu jaane de
Ye faasle hi ache hain ek dusre ko sataane se !
- thepoetunknown
ILAAJ.
Kabhi toh puch lete
Mijaaz mera !
Kaafi asaan tha kambaqt
Ilaaj mera ! !
- thepoetunknown
SHURUAT.
Shuruat toh karo
Anth ka fikar kyu karte ho ?
Jeet se pehle
Haar ka zikar kyu karte ho ?
- thepoetunknown
SHIKAYAT.
Kuch waqt baad
Saath wo bhi chod degi !
Fir shikayat kambaqt
Muhabbat se hi hogi ! !
- thepoetunknown
YAADEIN.
Ab bas yaadon mein
Khona baaki hai !
Kambaqt ishq hi toh
Meri barbaadi hai ! !
- thepoetunknown
Bichad gye toh ye dil umar bhar lagega nhi
lagega lagne laga hai par lagega nhi
- thepoetunknown
DIWALI.
Pataakhon ki roshani se bhi
raat nahi ho rahi meri ujaali,
Tumhre bina
Kaafi sooni lagti hai ye diwaali ! !
- thepoetunknown
SHEHER.
Main sheher badalta raha,
Rishte khud badalte gaye !
Main rooh dekhta raha
Log chehre badalte gaye ! !
- thepoetunknown
TOHFA.
Ke tohfe diye bohat
Ab tumpe jaan dena chahta hu,
Khudki mauth likh kar
Tumhre dard ko araam dena chahta hu.
- thepoetunknown
KHWAAB.
Ke khwaab the samete maine
Raakh se nikal ke,
Maine bech diya wo sab kuch
Jo rakhta tha sambhal ke,
Muhabbat ki koi zikar nahi
Dhokhe aise mile kamal ke,
Maine bech diya wo sab kuch
Jo rakhta tha sambhal ke.
- thepoetunknown
TARKEEBEIN.
Ke kisko btau
Ki har din naayi takleefein hain,
Bebas tanha akela hu
Naa jaane kiski ye tarkeebein hain.
- thepoetunknown
ISHQ.
Tujhe paane ki
Ab mujhmein koi hasrat nahi hai,
Tujhse ishq krne ke liye
Ab mujhe teri hi zaroorat nahi hai.
- thepoetunknown
KABHI.
Tum kabhi
Aisa bhi kiya karo,
Shayari chodo
Mujhe padh liya karo.
- thepoetunknown
ASLIYAT.
Sabki asliyat se
Waqif ho chuka hoon,
Kaafi hadd tak
Main Zakir ho chuka hoon.
- thepoetunknown
Aye zindagi
Kabhi haar jaun agar
Toh hath thaam lena,
MAUTH.
Mauth meri
Hai kishton waali,
Kuch ko tune aag lgaya
Kuch pe maine mitti daali.
DIL KI BAAT.
Suna hai aaj bhi jab tum
Dilo ki baat krte ho !
Naa chahte hue bhi tum
Humein hi yaad krte ho ! !
IJAZAT.
Itna dard
Kyu deti hai muhabbat ?
Mere mehboob ne
Di thi kya iski ijazat ?
MUHABBAT.
Muhabbat
Ek nasha hai,
Jise pehle hosh aa gya
Wo kambaqt bewafa hai.
Ke jis din mil jaogi
Uss din saare nashe chod denge hum !
Inn rishton ka kya hai ?
Tumhre liye duniya piche chod denge hum ! !
PRIYE.
Tu meri subah
Aur main tera sham priye,
Tera sara jazbaat main
Aur tu mera armaan priye.
- thepoetunknown
Ijazat dogi
Toh wo saare puraane khat padh lunga,
Kandha dogi?
Toh thoda bohat ro kar dil halka kar lunga.
Jab tujhe koi choota hai
Toh mehsoos mujhe bhi hota hai,
Chal mana dil mera toota
Magar afsos tujhe bhi hota hai ?
Sab jism ki baatein krenge
Rooh ki baatein kon krega?
Aur ek baat bata priye !
Tumhari baatein bin kahe
Tumhari ankhon se kon padhega ?
PRIYE.
Main teri badhti dhadkan
Aur tu mera saans priye ,
Tu meri har an-kahi baatein
Aur aur main tera awaaz priye .
- thepoetunknown
Hum-bistar nahi
Bas tere sang apna ghar sajana tha,
Raste mile kabhi nahi
Lekin tujhe ek baar bas apna bulana tha .
AITBAAR.
Tere jawab ka
Mujhe humesha intezar rahega,
Kayamat ki din tak
Mujhe bas tujhpe aitbaar rahega.
- thepoetunknown
PRIYE.
Meri ho jao
Yaa mujhe barbaad krdo!
Thik hai?
Meri ho jao yaa
Yaa mujhe barbaad kr do ! !
Mere kal ka faisala
Priye tum aaj kar do ! !
- thepoetunknown
PRIYE.
Ijazat dogi
Toh tumhein pyaar karunga,
Ijazat dogi
Toh tumpe aitbaar karunga,
Munasiv hai
Ki tumhre bina jee toh lunga,
Magar zindagi bhar
Tumhara Intezar karunga.
Priye ijazat dogi ?
Toh tumhein pyaar karunga.
- thepoetunknown
Kaafi thak chuka hoon
Apni godh mein mujhe sulaogi kya ?
Ek baat sach batana
Kabhi apna pyaar mujhe dikhaogi kya ? ?
NASEEB.
Paas mere baitha tha wo
Mano kitna kareeb tha,
Wo apna sa lagne wala shaks
Kisi aur ka naseeb tha.
- thepoetunknown
Agar tumhari raah takte takte main mar jau
Toh meri maiyyat pe aaogi na?
Mujhe akhiri baar seene se lagaogi na?
Aur agar kisi ne puch liya tumse humara rishta
Toh humari muhabbat ke baare mein saari duniya ko bataogi na?
Agar tumhari raah takte takte main mar jau
Toh meri maiyyat pe aaogi na?
Kisi ne pucha
Ki uske na hone se
Kya fark padta hai ?
Maine kaha
Wo dilshaad shaks
Har peher har roz marta hai,
Kisi ko
Kisiko apna kehne se darta hai,
Wo hasta khelta shaks
Apni hi yaad mein jalta hai,
Kisi ne pucha tha
Ki uske na hone se
Kya fark padta hai ?
Hadd yahi hai agar
Toh hadd se guzar jayenge,
Jis mod pe mile the
Uss mod pe aksar theher jayenge.
Aur jis raste pe tere nishaan na ho
Uss raste se hum mukar jayenge .
Hadd yahi hai agar
Toh hadd se guzar jayenge.
Mana tmhra jism khubsurati se choota hoga
Magar rooh tak utar pata hai kya?
Khud saari duniya ka sataya
Pareshan reh kar bhi tujhe hasa pata hai kya ?
PRIYE.
Tab guzare the
Humpe ranj saare,
Jab rishte hogye the
Be-rang saare.
- thepoetunknown
Mausam guzar jaate hain
Janab magar yaadein nahi guzarti,
Aisi bhi kya be-rukhi humse?
Jo tum humare khwab se bhi nahi guzarti.
AFSOS.
Jab tujhe koi choota hai
Toh mehsoos mujhe bhi hota hai,
Chal mana dil mera toota
Magar afsos tujhe bhi hota hai ?
- thepoetunknown
“Hum pyaar krte hain usko”
Aisa keh kar usne mujhe jawab diya,
Aur ye sab keh kar usne
Mujhe naa pyaar diya naa khwaab diya,
Magar usko pyaar krta dekh kisi aur ko
Maine umar bhar ke liye khud ko sambhal liya.
“Hum pyaar krte hain usko”
Aisa keh kar usne mujhe jawab diya.
PRIYE.
Main wo tuti kashti
Aur tu mera patwaar priye !
Main tera sara waqt
Aur tu bas mera intezar priye !
शोर
माना िदल टू टा मेरा
मगर अब शोर नहीं होगा,
मेरा एक भी कदम
अब तेरी ओर नहीं होगा।
- thepoetunknown
जवाब
उसने ये कहा
िक अब कोई सवाल या जवाब नहीं होगा,
उसके आं चल पे
मेरे प्यार का अब कोई दाग नहीं होगा,
अब ना मेरा और
ना मेरे प्यार का कोई िहसाब होगा,
उसने ये कहा
ना मेरे प्यार का कोई िहसाब होगा,
उसने ये कहा
िक अब कोई सवाल या जवाब नहीं होगा|
- thepoetunknown
Bewajah tumhari ankhon mein dekh
Tumse pyaar ka izhaar krta hai kya ?
Shart lagne pe shayad haar jao
Batao meri tarah sirf ankhon se pyaar krta hai kya ? ?
Tu honthon ki talab
Aur main tera pyaas priye !
Mana tera koi aur
Lekin tu mera khaas priye ! !
Mera naam nahi lekin
Tujhse meri ye umar jud jaaye,
Tujhse pehle main maru
Bas meri ye dua qubool ho jaaye.
Be-wajah bewafaon se
Pyaar kiya hai,
Lekin har tanha lamhe mein
Bas tujhko yaad kiya hai.
Har sher mein
Maine tumhein kuch khaas likha hai,
Aur mana tum sath nahi
Lekin har sher mein maine tumhe apne paas likha hai.
APNE.
Iss saal bhi tamashe
Wahi purane huye,
Na jaane kitne apne
Firse anjaane huye.
- thepoetunknown
Ranjhishein
Ranjhishein hi sahi
Magar dil dukhane ke liye aa,
Aa phir se mujhe
Wapas chod jaane ke liye aa,
Mana dil ko
Ab bhi umeedein hain kahin
Lekin meri ye
Galat faemi dur krne ke liye aa,
Ranjhishein hi sahi
Magar dil dukhane ke liye aa.
JASHAN.
Kam nahi jashan se
Ye kambaqt akelapan mera,
Ab kisi ke husan se
Na kaamil hoga tanhapan mera.
- thepoetunknown
HISAAB.
Muddatein guzar gayi
Lekin kabhi hisaab nahi kiya,
Apno se dhokha kha kr bhi
Maine apno ko barbaad nahi kiya.
ZINDAGI.
Zindagi ki sadaqat ko
Maine kaafi qareeb se jana hai,
Bas dard mein akele hain
Khushiyon mein toh zamaan hai.
ANJAAN.
Wo mujhe dur krne ki
Zid liye baitha hai,
Shayad mujhse anjaan
Koi kareeb liye baitha hai.
MUHABBAT.
Muhabbat hogayi hai
Magar khud ko rok rakha hai,
Lakeeron mein dawa
Aur hatheli mein rog rakha hai,
Ishq mein khudko
Tutne se bacha nahi paate,
Toh jo cheezein bas mein nahi
Unhein chod rakha hai,
Main badal skta hu
Uski chahat, nazariya aur andaaz
Par usse dosti hi chaiye
Usne mujhe ye bol rakha hai,
Muhabbat hogayi hai
Magar khud ko rok rakha hai.
हम!
िदल अमीर
लेिकन मुकद्दर गरीब था,
अच्छे थे हम
मगर बुरा बस नसीब था,
लाख कोिशश कर के भी
लाख कोिशश कर के भी
कुछ ना कर सके हम,
घर जलता रहा हमारा
जबकी समंदर काफी करीब था।
डर.
रात गहरी थी
हम डर भी सकते थे,
जो कहा करते थे
वो सब कर भी सकते थे,
बस तेरी यादों ने रोक रखा है
वरना क्या पता हम मर भी सकते थे.
हथेली.
उसने मेरे जेब में हाथ रखा
और मैं उसकी हथेली पकड़ ना सका,
वो मुझसे दू र जा रही है
और कम्बक्त मैं िदल की बात कह ना सका.
अनजान.
करता हूँ हर रोज़
तुमसे ही तुम्हारी बाते !
तुम यूँ ही अनजान बनते हो
या तुम्हे इशारे समझ नहीं आते ?
आिशयाना.
वो मेरी आँ खों में दे खता तो है
मगर उनमें ठे हरता क्यों नहीं ?
ये तेरा ही तो घर है
ये तेरा ही तो घर है
अपने आिशयाने में तू रहता क्यों नहीं ?
इं तजार.
तेरे इं तजार में
इं तजार बढ़ गया मेरा,
तेरे ख़बरों से
अखबार भर गया मेरा,
ऐसा लगता है
मुद्दतों बाद िमला है कोई,
तेरे दीदार से
हर ददर् भर गया मेरा,
तुझसे िमलके
शायद प्यार बढ़ गया मेरा,
तेरे इं तजार में
तेरे इं तजार में
इं तजार बढ़ गया मेरा।
- thepoetunknown