Lesson 1
Ayat( 1-10)
1) Allah ta'la ne kin 2 cheezon ki qasam khai hai aur raat ko
namudar hone wali cheez kise kaha hai ❓
Ans) Allah ta'la ne aasman aur raat ko namudar hone wale ki
qasam khai hai aur raat ko namudar hone wali cheez raoshan
sitara(ُ )ٱلنَّ ْجمُُٱلثَّا ِقبko kaha gaya hai.
2) Sitaron ko tariq kyon kaha jata hai ❓
Ans) Sitaron ko tariq isliye kaha jata hai kyonki yeh din ko chup jate
aur raat ko namudar hote hain.
3) Insan kis cheez se paida kiya gaya hai❓
Ans) Insan ek uchalte paani (mani) se paida kiya gaya hai jo peeth
aur seene ke darmiyan se nikalta hai.
amal likh kar unhen mahfooz rakhte hain.
4) Allah ta'la ne har shakhs par muhafiz farishtey kyon muqarrar
kiye hain❓
Ans)Har nafs par Allah ki taraf se farishtey muqarrar hain jo Allah
ke hukum se us ki hifazat karte hain aur uske ache ya bure sare
5) Qayamat ke din posheeda baton ko kyon parkha jaega❓
Ans) Dunya ke andar bahut si cheezen posheeda rahti hain logon
ke samne zaher nahi hoti hain laikin us din jaza wa saza ke liye
posheeda baton aur tamam razon ko bhi zaher kiya jaega aur
wahan kisi ka koi amal chupa nahi rahega.
6)Qayamat ke din kyon insan khud ko bacha nahi sakega ayat 10
ki raoshni mein wazahat karen❓
Ans) Us din uske paas na koi zor hoga na koi madadgar
Yani us din uske paas na itni quvvat hogi ki woh bach jae aur na
kisi aur taraf se usko koi aisa madadgar aur himayeti mil sakega jo
usey bacha sake.
Tadabbur Question
Aaj ki ayaton se aap ne amal ke liye kya baten seekhi hain
likhye
Ans) Allah ta'la ne qasmen khakar yeh baat farmai hai ki
har nafs par Allah ki taraf se farishtey muqarrar hain jo
hamari hifazat karte hain.
Hamari hifazat 2 tarah se horahi hai ek jismon ki hifazat
horahi hai aur dusra hamare aa'mal ki bhi hifazat horahi hai
yani yeh farishtey hamare ache ya bure sare aamal likh kar
mahfooz rakhte hain.
Iske zarye Allah ta'la hamen yeh samjha rahe hain ki koi
insan apni marzi ke liye aazad nahi hai sab kuch record
horaha hai aur har ek ke aamal ka hisab kitab hona hai
isliye sab ko apne apnaaa'mal ki fikar karni chahye.
Phir insan ki tawajjah dilai gayi hai ki Allah ta'la kaisi
qudrat wala hai ki usne insan ko haqeer uchalne wale
paani se dekhne sunne bolne aur samajhne wala izzat aur
martabe wala insan banaya hai.
Jab insan mein takabbur aajae toh usey apne aaghaz par
ghaor karna chahye. Qayamat ke din chupi hui baton ki bhi
jaanch padtal hogi aur us din na woh khud ki madad kar
paega ma koi air uski madad kar sakega yeh bahut dara
dene wali baat hai ki us din tamam raaz khul jaenge hamen
hamare dilon iradon niyyaton aur sonchon par bhi khaas
nazar rakhni hai hamen.
Hamare har amal ko tatolna hai ki iske peeche hamara
maqsad kya hai agar Allah ki raza hai toh theek hai aur agar
nahi toh phir islah ki zarurat hai.
Jo cheezen ham chupa kar karte hain woh Allah ke ilm
se chupi hui nahi hain Allah se dua karen ki woh us din
hamare gunahon kamzoriyon aur aebon ko dhaamp le.
Allah ta'la qayamat ke din un logon ki burayon aur aebon
ko chupa dega jo dunya meindusron ki kamzoriyon aebon
aur burayon ko chupaya karte they.
Allah ta'la hamen qayamat ki ruswai se bachae.
Lesson2
Ayat 11-17
1)Allah ta'la ne barish lane wale aasman aur phatne wali zameen
ki qasam kar quran ke bare mein kya farmaya hai❓
ْ َ قَ ْو ٌلُف2 took faisla karna wala
Ans) Beshak yeh Quran albatta ُص ٌل
kalam hai (khol kar bayan karne wala hai jis se haq aur batil dono
wazeh hojate hain) Yeh hansi mazaq nahi hai (befayeda aur be
maqsad nahi hai)
2)Quran kaisi kitab hai aur iske nazil hone ka asal maqsad kya hai?
Ans)Yeh badi azmat wali aur fazeelaton wali kitab hai khair wa
barakat wali kitab hai hidayet aur hikmat wali kitab hai yeh
mominon ke liye shifa aur rahmat hai iska asal maqsad insanon
ko gumrahi se nikal kar hidayet ki taraf laana hai woh raasta
batana hai jo jannat tak jata hai.
3) Zameen ko phatne wali kyon kaha gaya hai ❓
Ans)Zameen phatti hai toh is se paani nikalta hai, paode nikalte
hain aur isi tarah ek din ayega ki zameen phategi aur sare murde
zinda hokar baher nikal ayenge isliye zameen ko phatne wali kaha
gaya.
4)Kafir kis ke khilaf chalen chalte hain aur Allah ta'la apni chaal ke
bare mein kya farmata hai❓
Ans) Kafir haq ko nakam karne ke liye quran ke khilaf, deen ke
khilaf aur mominon ke khilaf chalen chalte rahte hain laikin Allah
ta'la unki chalon aur sazishon se ghafil nahi haq ko ghalib karne
ke liye woh bhi unke khilaf tadbeer kar raha hai jo ki bahut
mazboot hai.
5) Kaida َك ۡيدٗ اkise kahte hain aur yeh kis surat mein buri nahi hoti❓
Ans)Khufiya tadbeer ko kahte hain jo bure maqsad ke liye ho toh
buri hai aur naik maqsad ke liye ho toh buri nahi hai.
6) Munkiron ko mohallat kyon dii jati hai❓
Ans) Allah ta'la ki taraf se jo mohallat milti hai woh imtehan ke
taor par hoti hai phir jab unki pakad hoti hai toh unko koi Allah ke
azab se bacha nahi sakta.
Kafiron ko thoda saman dekar mohallat dena unke saath tadbeer
ki ek surat hai.
Tadabbur Question
Aaj ki ayaton se amal ke liye kya seekha likhye❓
Quran ko ل ْ َ قَ ْو ٌلُفkaha gaya yeh koi hansi mazaq ki baat nahi
ٌُ ص
hai isko lightly nahi lena hai ki jab fursat ho tab padhliya jae. yeh
sacch aur jhoot ka 2 tuk faisla hai yeh hamare liye faisla kun kalam
ban kar aaya hai yeh hamare liye jannat ya dozaq ka faisla karega
yeh ya toh hamare haq mein gawahi dega ya hamare khilaf.
Agar ham isko apni dunya ka saathi banaenge toh yeh dunya
mein har waqt hamari rahnumai karega qabar ka hashar ka saathi
banega.Agar ham ghaltiyan kar rahe hain aur sab kuch acha chal
raha hai toh yeh khush hone wali aur befikar hone wali baat nahi
hai ki Allah mujh se is bare mein poochega hi nahi Allah ta'la dheel
deta hai aur dekhta hai ki ham kya amal karte hain. Hamen chahye
ki ham Allah se maafi mange aur fauran sudhar jaen kyunki jab
uski pakad aati hai toh koi bachane wala nahi hai.