2017
JUZ 2 (Question And Answers)
www.livequraneverymoment.org
Juz 2 Question And Answers
Sayqul Parah 2.-Surah Al Baqarah Ayath 142 – 176
Questions & Answers-Part 1 -(Till Ruba- First Quarter)
Q1. Ayat 142 Me Bewakoof Kya Kehte Hain?
Ans. Bewakoof Mushrikeen Aur Ahle Kitab Kehte Hai Ke Kis Ne Akhir Musalmano Ko Unke
Qible Se Pher Diya. Bait Ul Maqdis Se Khana-E-Kaaba Ki Taraf.
Q2 A). Ummate E Wasat Kaun Hain? B)Unko Allah Ne Kyun Banaya?
Ans. A.Ummat E Muslima Ko Ummat E Wasat Kaha Jaraha Hai.
B. Allah Ne Tamam Logo Me Apna Hidayat Ka Paigham Phachane Ki Zimmedari Unhe Di Hai.
Q3. Qible Ka Badalne Ya Muqarrar Hone Ki Wajah Kya Thi ?(143)
Ans. 1. Ye Jaanna Maqsood Tha Ke Kaun Rasool Ki Pairvi Karega
2. Musalmano Ko Allah Ne Tarjeeh Aur Muqaam Dena Tha
Q4. Allah Taala Tumhaare Imaan Ko Zaaya Nahi Karega.143..Allah Aisa Kyun Keh Rahe
Hai?
Ans. Jab Qibla Bait Ullah (Khane Kaabah) Muqarrar Hua, To Kuch Logo Ko Khayal Guzra Ke
Jo Musalmaan Zinda Nahi Aur Wo Bait Ul Maqdis Ki Taraf Rukh Kar Ke Namaz Padhte Rahe
To Un Ki Namazein Kya Zaaya Hogayi,Yaa Jo Namazein Un Logon Ne Bhi Baitulmaqdis Ki
Taraf Rukh Karke Padhi,Kya Wo Zaaya Ho Gayi? Isliye Allah Farma Rahe Hai Ki Allah Un Ke
Amaal Zaya Nahi Karenge.
Q5. Rasool ﷺBaar Baar Aasmaan Ki Taraf Chehra Kyun Pher Rahe The?
Ans.Aap Khwahishmand The Ke Allah Qible Ka Rukh Bait-Ul-Maqdis Se Bait-Ullah Ki Taraf
Kardein.
Q6. 144- Ahle Kitaab Jaante The Ki Wo Log Haq Par Hain, Haq Yahaan Kya Hai ?
Ans. Qibla Ka Tabdeel Hona, Aur Aakhri Nabi Ka Qibla Khane Kaabah Hoga.
DARUL ARQAM Page | 2
Juz 2 Question And Answers
Q7. 145 Kya Ahle Kitaab Hamare Qible Ki Pairvi Karenge?
Se Kya Muraad Hai?
Ans. Nahi Who Kabhi Bhi Aisa Nahi Karenge.
Isse Muraad Ke Ahle Kitab Aapas Mein Hi 1 Qible Par Ittefaq Nahi Karte Tu Wo Aap ﷺKe
Qibla Ki Pairvi Kaise Karenge.
Q8. Ahle Kitaab Rasool ﷺKo Kaise Jaante They?
Ans. Jaise Wo Apne Beton Ko Pechante The. ﷺ
Q9.147- Allah Taala Kin Me Se Na Hone Ko Keh Rahe Hain?
Ans. Shak Karnay Walon Me Se
Q10. 149 Kis Taraf Moo Pherne Ko Kaha Jaa Raha Hai?
Ans. Masjid-E- Haraam Ki Taraf
Q11. Kisse Hame Darna Hai Aur Kisse Nahin Darna?Ayat 150
Ans. Hume Sirf Allah Se Darna Chahiye Aur Logon Se Nahi.
Q12.A)Shaheedon Ke Baare Me Hame Kya Nahi Kehna Chahiye & Kyun?
B)Kya Shaheed Qabron Me Zinda Hai?
Ans. A. Ke Woh Murdah Hain Kyu Ke Jo Allah Ki Rah Me Maare Jaaye Wo Murda Nahi Qarar
Diye Jaate Kyu Ke Murda Lafz Afsos Dilate Hai Un Ko Zinda In Ki Izzat O Ikraam Ke Liye Kaha
Jaraha Hai.
B. Nahi Who Qabro Mei Zinda Nahi Hote Balke Yaha Muraad Barzaq Ki Zindagi Se Hai Aur
Shuhadaa Ki Roohein Jannat Me Sabz Parindo Me Hoti Hai.
Q13.-155 Allah Hame Kin Kin Cheezon Se Aazmayege?
Ans. Khauf, Bhook,Nuqsaan,Maal,Zameen Ki Paidawaar Aur Nafso Se.
Q14. Sabr Karne Waale Log Jab Museebat Aati Hai To Kya Kehte Hain? Iske Kehne Par Jo
Ajar Hai Uski Hadeeth Bataiye?- 156
انا هلل و انا اليه رجعون- Beshak Hum Allah He Ke Liye Hai Aur Beshak Hum Usi Ki Taraf Laut Kar
Jane Wale Hai.
Hadith: Hazrat Ussaid Bin Ali Say Riwayat Hai , Aap ﷺNe Farmaya, “Jis Kisi Musalmaan Mard
Ya Aurat Ko Museebat Pahunche Aur Jab Kabhi Us Ko Wo Takleef Yaad Aaye To Woh انا هلل
و انا اليه رجعونPadhe To Allah Is Qadar Sawab Likh Dete Hain Jitna Pehle Din K Sabar K Liye
Likha Gaya Tha.”
DARUL ARQAM Page | 3
Juz 2 Question And Answers
Q15. Safa & Marwa Kya Hai? ‘Inka Tawaf Karne Waalon Par Koi Gunaah Nahi Hai’kya
Matlab Hai?
Ans. Safa Aur Marwa Allah Ki Nishaniyon Me Se Hain. Islam Ke Ibtedai Dino Me Sahaba
Karaam Ko Laga Ke Safa Aur Marwah Ke Tawaf Sa Gunah Hoga Kyu Ki In Par Buth Nasab The
To Is Ki Wazahat Mein Ye Ayat Nazil Hui Thee.
Q16. Sabr Karne Waalon Ke Liye Allah Ki Taraf Se Kya Hai? 157
Ans. Rehmatein Aur Nawazishein Hain Aur Yahi Log Hidayat Pane Wale Hai.
Q17. Safa Marwa Ka Tawaaf Hame Kaise Karna Chahiye?
Ans. Aqeedat Aur Khushi Se, Aap ﷺKe Bataye Huye Tareeke Se, 7 Chakar Safa Se Shuroo Kar
Ke Marwa Par Khatam Karne Chahiye.
Q18.Jo Kitab Ko, Haq Ko Aur Nishaaniyon Ko Chupaate Hain Unke Liye Kya Hai?
Ans.Un Par Allah Ki Laanat Hai Aur Un Tamam Cheezo Ki Laanat Hai Jo Laanat Dete Hain
Jaise Farishte,Insaan Etc Ki Bhi Laanat hai Aur Un Ka Anjaam Jahanum Ki Aag Hai.
Q19. Jo Kufr Ki Haalat Me Faut Ho Jaaye Unka Anjaam Kya Hai?
Ans. Un Par Allah Ki, Farishton Ki Aur Tamam Insano Ki Laanat Hai Aur Un Ke Liye Akhirat
Mei Dard Naak Azaab Hai.
Q20. A164- Allah Taala Ki Kya Kya Nishaaniyan Bataayi Gayi Hain?
Ans. Zameen Aur Asmaan Ki Paydayash,Din Aur Raat Ke Aane Jaane Me, Kashtiyo Ka
Samandar Me Chalne Me, Asmaan Se Pani Ke Barasne Me, Aur Usse Jo Anaaj Ugta Hai,
Zameen Par Janwaroo Ki Maujoodgee, Hawao Ki Gardish Me, Baadlo Ke Musakhar Hone Me
Zameen Aur Asmaan Ke Darmiyaan Me
Q21.A) Jo Allah Ke Siwaye Kisi Aur Ko Shareek Banate Hain Wo Apne Shareek Se Kaise
Pyaar Karte Hain? B)Jo Imaan Laate Hain Wo Allah Se Kaise Mohabbat Karte Hain?
Ans. A. Jaise Allah Se Karne Ka Haq Hai.
B. Buhat Zyada
Q22. Kaun Kisse Kab Bazaar Honge? 166
Ans. Jin Ki Pairvi Ki Gayi Hogi Duniya Me Wo Apne Pairokar Se Qayamat Ke Din Bezaar
Honge.
Q23. 167 A)Kiski Kya Tamanna Hai? B)Unki Hasraton Ka Kya Hoga? C)Un Logon Ka Kya
Anjaam Hai?
Ans. A. Pairokaro Ki Tamanna Hogi Ke Kash Wo 1 Dafa Dunya Me Lautein Aur Wo Jin Ki
Pairvi Kiya Karte The Un Se Bezaargi Zahir Karein.
B. Allah Un Ke Amaal Ko Hasratein Bana Kar Pesh Karenge
C. Un Ka Anjaam Jahanum Ki Aag Hai
DARUL ARQAM Page | 4
Juz 2 Question And Answers
Q24.A) Allah Ne Rizq Me Se Kya Khaane Ko Kaha Hai?B)Kisse Mana Kiya Hai?C)Ye
Aayat Kyun Naazil Hui? 168
a. Halal Aur Paak Rizq Khane Ko Kaha Hai
b. Shaitan Ke Qadmo Ki Pairvi Se Manaa Kiya Hai.
c. Mushrikeene-Makkah Ne Buthon Ke Naam Par Janwar Kheti Waghaira Apne Oopar
Haraam Karli Thi.Aisa Karna Shaitaan Ke Qadmon Ki Pairwi Hai, Aur Halal Ko Is Tarah
Haraam Banana Hamare Liye Jayaz Nahi.
Q25. Shaytaan Hame Kis Cheez Ka Hukm Deta Hai?
Ans. Buraayi, Behayayi Ka Aur Allah Par Aisi Baatein Gadhne Ka Jo Jhoot Par Mabni Ho.
Q26. 170 Jab Unse Kaha Jaata Hai Ke Pairvi Karo Allah Ki Quraan Ki To Wo Kya Kehte
Hai?
Ans. Who Kehte Hain Ke Wo Apne Aaba O Ajdad Ki Pairvi Karenge
Q27. 171-Kaafiron Ki Kaisi Misaal Di Gayi Hai?
Ans. Aise Janwar Ki Jo Awaz Aur Pukaar Sunta To Hai Par Us Ko Samjh Kuch Na Aata Ho.
Q28. 172. Khaao Piyo Aur Kya Karo?
Ans. Allah Ka Shukr Aada Karo.
Q29. 173-A)Allah Ne Hamare Liye Kya Kya Haraam Kar Diya Hai?B)Kis Haalat Me Haraam
Jayaz Ho Jayega?
a. Murdaar,Khoon, Khinzeer Ka Gosht Aur Aaise Kisi Bhi Janwar Ka Gosht Jo Ghair Allah
Ke Naam Par Zubah Kiya Gaya Ho.
b. Majboori Ki Halat Mein Jab Maut Ka Andesha Ho Tab Aur Shauq Se Nahi Khane wala
ho Aur Hadh Se Badh Kar Nahi.
Q30 Jo Log Kitaab Ke Ilm Ko Chupaate Hain, A) Wo Kaise Hai?B)Unka Anjaam Kya Hai?
a. Wo Duniya Ki Zindagi Ko Thodi Si Keemat Par Qareedne Wale Hote Hai
b. Un Se Allah Roz –E-Qayamat Kalaam Nahi Karega Aur Na Un Ko Paak Karenge Aur Un
Ko Dard Naak Azaab Mein Mubtala Karega.
Q31. A176 A)Kaunsi Kitaab Ka Zikr Hai?B)Jo Log Kitaab Ke Bare Me Ikhtelaaf Karte Hain
Wo Kaise Hain?
a. Quraan Ka
b. Wo Log Door Ki Gumrahi Me Hai Jahan Se Palatna Mushkil Hai.
Q32.A) Kya Farz Namaaz Ke Liye Qiblah Rukh Hona Zarooori Hai?
Ans. Jee Haan, Farz Namaz Aap ﷺSawari Rok Kar Zameen Par Padhte Aur Qibla Ka
Ehtemam Bhi Karte The.
DARUL ARQAM Page | 5
Juz 2 Question And Answers
Q32.B)Kya Sawaari Par Nafil Namaaz Padhna Jaayaz Hai?
Ans. Jee Haan, Aagar Aap ﷺSawari Par Hote To Nafil Namaz Ya Sunnat Namaz Jahan Sawari
Ka Rukh Hota Namaz Padh Lete.
Q32 C).Kya Is Ke Liye Qible Ke Rukh Hona Zaroori Hai?
Ans. Nahi , Nafil Aur Sunaat Namaz Ke Liye Qibla Ki Taraf Rukh Karna Zarori
Nahi.(Conditional When Travelling Or On A Ride)
Sayqul Parah 2. Surah Al Baqarah Ayath 177 – 201
Part 2 -(Till Nisf- Second Quarter)
Questions & Answers
Q1. Neki Kis Cheez Se Hai?Or Neki Kya Hai?A177
Ans. Neki Har Bhalayi Ke Kaam Me Hai Jo Allah Ko Khush Kare.
Neki Hai 1. Imaan Lana Allah Par, Farishto Par, Yaum E Akhrat Par, Kitabo Par, Nabiyopar
2. Maal Ko Kharch Karna Bawajood Uski Muhabbat K Upar Rishtedaro Ke, Yateemo Par,
Musafiro Par, Sawal Karne Waleoo Par Aur Ghulam Ko Azad Karne Me
3. Sabar Karna Har Mushkil Waqt Me
4. Namaz Qayam Karna Aur Zakat Ada Karna
5. Saach Kehna.
Q2. Badla Kaise Lena Hai Qatl Ka?
Ans. 1. Jaan Ke Badle Jaan (Or) 2. Jaan Ke Badle Diyat Lena (Or) 3. Maaf Kardena Qatil Ko.
Q3. Kya Badle Me Zindagi Hai ? Kaise?
Ans. Jee Badle Me Zindagi Hai,Is Tarah Jiske Dil Me Qatl Ka Irada ho Wo Sonchega ki Badle
Me Uski Bhi Jaan Li Jayegi,To Wo Jurm Se Ruk Jayega.
Q4. Wasiyat Kitne Maal Me Ki Jaa Sakti Hai?Kis Kis Ke Liye Karna Chahiye Aayath Ki
Raushni Me Likhiye? A180
Ans. 1/3 Maal Me Ki Jasakti Hai. Un Logo Ko Jin Ka Wirasat Me Haq Nahi ,Schools
Hospitals,Masajid Etc Ke Liye
Is Ayat Ki Raushni Me Waldain Aur Qarabad Daaro Ke Liye Hai Lekin Ye Maal Me Nahi Kyu
Ke Jiska Already Tarke Me Hissa Ho Uske Liye Maal Ki Waseeyat Nahi Ki Jaa Sakti Hai.
Q5.Kya Waseehat Badli Jaa Sakti Hai ?Kin Haalaat Me? A182
Ans. Jee Badli Jasakti Hai. Agar Gunah Ke Kaam Ka Andesha Ho,Kisi Ek Fareeq Ki Taraf Dari
Horahi Ho,Ya Khilaf E Shariat Kaam Ki Wasihat Ho Tu Badli Jasakti Hai.
Q6. Roza Kya Hai? Kya Pehle Ke Log Ya Pichle Qaum Bhi Roza Rakhte They? Aap Ko Kaise
Maaloom Hua?
Ans. Sehar Say Guroob E Aftab Tak(Dawn To Sunset) Allah Ke Liye Khane Peene Se
Rukna,Aur Miya Biwi Ke Talluqaat Se Rukna Roza Hai.
DARUL ARQAM Page | 6
Juz 2 Question And Answers
Jee Haan Pichli Qaumo Ke Log Bhi Roza Rakhte The Ye Baat Hume Surah Baqarah Ayat 183
Sepata Chalti Hai
“Aay Logo Jo Imaan Laye Ho Likh Diya Gaya Tum Par Rozay Jaisa Ke Likh Diye Gaye The Upar
Un Logo Ke Tum Se Pehle Take Tum Taqwa Ikhtyaar Karo.”
Q7. Agar Mareez Ho Ya Safar Par Ho To Unke Liye Rozon Ke Baare Me Kya Ehkaam Hain?
A185
Ans. Ramazan Ke Baad Dosre Dino Se Ginti Poori Kare.
Q8. Quran Kis Mahine Me Naazil Hua?
Ans. Ramazan
Q9. Hum Dua Maangte Hain To Kya Hota Hai? A186.
Ans. Allah Humari Dua Ko Sunte Hai Aur Jawab Dete Hai Pas Hume Chahiye Ke Imaan Laye
Us Par Saacha Aur Uski Baat Maane.
Q10.Kya (Rafasa) رفثSaare Ramadaan Me Halaal Hai?
Ans. Rafas(Miya Biwi Ke Talluqaat) Ramazan Ke Mahine Me Sirf Raat Ke Waqt Halal Hai Jab
Roza Na Ho.
Q11.Shohar Biwi Ek Doosre Ke Liye Libaas Kaise Hain?A 187
Ans. 1.Libaas Insaan Ki Sab Se Qareeb Tareen Cheez Hai Jaise Shohar Bewi Ek Dosre Ke
2. Wo Zaib O Zeenat Ka Baais Hota Hai
3. Libas ehsaas E Tahafuz Aur Taskeen Deta Hai Jaise Shohar Biwi Aapas Me
4 .Libaas Humari Aaibo Par Parda Dalta Hai Isi Tarah Shohar Biwi Ek Dosre Ke Aaibo Par
Parda Dalte Hai.
Q12. Safed Aur Kaale Dhaage Se Yahaan Kya Muraad Hai? A 187
Ans. Jab Raat Ke Andhere Se Fajr Ke Waqt Roshni Phat-Ti Hay,Pau Phatna.
Q13. Aitekaaf Kahaan Kiya Jaayega Aur Kaise?
Ans. Aitakaaf Sirf Masajid Me Kiya Jaa Sakta Hai,Us Masjid Me Jahan 5 Waqt Ki Namaz
Bajamaat Ho.
Q14. A188 - Maal Kaise Nahi Khana Chahiye? Misaal Dijiye- Explain.
Ans. Ek Dosre Ka Maal Aapas Mein Batil Aur Ghalat Tareeqo Se Nahi Khana Chahiye Aur Na
Age Hukkam Ko Pahunchana Chahiye(Rishwat)
Q15.A 189 Shaane Nuzuli - Shariyat Me Chaand Ka Kya Muqaam Hai?
Ans. Sahaba Ilm Ke Buhat Talabgaar The, Who Aap ﷺSe Sawal Karte Chand Ke Bare Me Ke
Itni Badi Cheez Kis tarah Har Din Tabdeel Hoti Hai, Is Ke Jawab Me Ye Ayat Nazil Huyi.
Chand Musalmano Ke Liye Ibadaat Aur Ehkam E Ilahi Ko Pura Karne Ka Intezaam Hai. Ye
Humare Liye Ek Calendar Ki Tarah Hai Kyu Ki Iss Ki Mutabiq Ramzan Me Roze Rakhe Jate
DARUL ARQAM Page | 7
Juz 2 Question And Answers
Hai, Eid Manyi Jaati Hai, Haj Ki Tayyari Ki Jaati Hai, Bewa Aurat Ki Iddat Muqarar Ki Jati Hai
Etc.
Q16. Kin Ka Qatl Karne Ka Hukm Diya Jaa Raha Hai? A190
Ans. Un Logo Ka Jo Musalmano Se Allah Ke Raste Me Ladte Hai
Q17. A191 Kisne, Kisko , Kahaan Se Nikaala?
Ans. Mushrikeen E Makkah Ne Musalmano Ko Makkah Se Nikala Tha Aur Madina Hijrat Par
Majboor Kiya Tha.
Q18. Shahrul Haraam Kaunse Hain Unhe Shahrul Haraam Kyun Kaha Jaata Hai?
Ans. Rajab, Muharram, Zi Qaad, Zil Haj Shahrul Haram Hai. Ye Hurmato Wale Mahine Hai. In
Mei Allah Ne Jang, Fasad, Jhagda Qatal Se Maana Farmaya Hai.
Q19.A195 Shaane Nuzuli
وانفقو فى سبيل ا هلل وال تلقوا بايديكم الى التهلكة واحسنوا ان ا هلل يحب ا لمحسنين
Ans. Hazrat Abu Ayub Ansari Famatay Hai Ke Ye Ayat Hum Ansaar Ke Liye Nazil Huyi. Jab
Allah Ne Madina Me Musalmano Ko Mazboot Kardiya Aur Islam Ko Izzat Dee Tu Ansaar Ne
Aapas Mein Ek Dosre Se Kaha Ke Muhajireen Ke Madina Ane Ke Baad Se Bahut Maal Kharch
Hua Aur Maaeshiat Tabah Hogai Hai Tu Ab Wo Apne Karobaar Ki Taraf Tawajju Karte
Hai.Allah Ne Is Ayat Se Uski Tardeed Kardee Ke Maal Ki Taraf Jaakar Apne Asal Maqsad Ko
Naa Bhoolna.
Q20. Agar Ehraam Baandh Kar Neeyat Kar Lee Jaaye Aur Umrah Ya Hajj Poora Na Kar Sake
To Kya Hai?
Ans. Tu Phir Ehraam Kholnay Say Pehlay Hadi Deni Hogi.
Q21. Hajj Ke Aham Dino Ke Baare Me Naam Aur Arkaan Likhiye.
Following Ayyaam Ke Naam Likhein Aur Bataye Ke In Ayyaam Mein Kaun Kaun
Se Manaasik Hajj Ada Kiye Jaate Hain?Har Din Ke Sirf Aham Arkaan Likhein.
Ayyam Is Din Ka Aham Arkaan Jo Ada Kiye Jaatay Hain
Naam
8 Zil Haj Yaumut Mina Ki Taraf Rawangi, Zuhar,Asar,Maghrib,Eisha Aur Fajr Ki
Tarwiya Namaz Yahan Ada Ki Jaaegi.Qasr Aur Alag Alag..
9 Zil Haj Yaum-E Mina Se Arafaat Ki Rawangi, Khutba Phir Zuhr Aur Asr Ki Namaaz
Arafa Jama Aur Qasr, Sunset Tak Arafat Me Stay. Sunset Ke Baad
Muzdalifah Ki Taraf Rawangi , Raat Ko Muzdalifah Me Stay.
10 Zil Haj Yaum-Un Mina Ki Taraf Rawngi , Wahan Pahunch Kar Jamrah E Aqaba Ki
Nahr Rami, Phir Qurbani Aur Baal Mundwana.Ehraam Utara
Jayega.Tahellule -Awwal Is Ke Baad Makkah Jakar Tawaf E Ifada
Aur Sayi Hogi.Agar Is Din Nahi Karsakein Tu Dosre Din Jakar
Karsakte Hai
DARUL ARQAM Page | 8
Juz 2 Question And Answers
11 Zil Haj Ayyame E Zikr Ilahi Ke Din Hai. Raatein Mina Mein Guzarni Hain.Teen
– 13 Zil Tashreeq Jamraat, Wusta, Oola Aur Aqaba Ki Rami Ki Jaaegi Aur Har
Haj Jamrah Ko 7 Kankaryaan Mari Jaaengi. Makkah Se Rukhsat Hote
Waqt Tawaf E Wida
Q22. Tamatto Hajj Me Hadi Naa Ho To Kya Hukm Hai? 196.
Ans. 3 Din Roze Rakhna Haj Ke Dauran Aur 7 Roze Rakhna Hai Ghar Wapis Ane Ke Baad.
Q23. Dauraane Hajj Kya Kya Nahi Karna Chahiye A197
Ans. Rafas, Fusooq-Kisi Bhi Qism Ka Gunah Ka Kaam, Jidaal-Ladayi Jhagda Nahi Karna
Chahiye.
Q24. Hajj Me Sab Se Aham Rukn ?
Ans. Wuquf E Arafat Sab Se Aham Rukn Hai.
Q25.A199 Samjhaaiye .
ثم افيضوا من حيث أفاض الناس واستغفرو هللا َ ان هللا غفور رحيم
Ans. Quraish Apne Aap Ko Khaane Kaaba Ke Custodians Hone Ke Naate Apne Aap Ko Sab Se
Aala Aur Behtar Samajhte Aur Arafaat Nahi Jaate,To Allah Taala Farmaa Rahe Hai Ke Doosro
Ki Tarah Arafaat Jao Aur Jo Ye Galat Kaam Kar Rahe Ho Us Se Bakshish Mango.
Q26. Kaise Dua Maangni Chahiye? Kyun? A201
Ans. Duniya Aur Akhirat Dono Me Allah Se Bhalai Aur Us Ki Rehmat Ke Talabgar Rehna
Chahiye.
Agar Sirf Duniya Mangi Tu Akhrat Mein Humari Nekiyo Ka Koi Sila Nahi Milega
Q27. A203 Ayyamam Maa Doodaat Kaunse Hain?
Ans. Ayyam E Tashreeq, 11 Zilhaj Se 13 Zilhaj.Zilhaj Ke Das Din Bhi Honge.
Sayqul Parah 2. Surah Al Baqarah Ayath 202– 230
Part 3 -(Till Salaas- Third Quarter)
Questions & Answers
Q1. Ayyamam Maa Doodaat Kaunse Hain?
Ans. Ayyam E Tashreeq, 11 Zilhaj Say 13 Zilhaj Or Zilhaj Ke First 10 Days.
Q2. Ayath 205-206 Samjhaaiye.
واذا قيل له اتق هللا أخذته العزة.502واذ تولى سعى فى اإلرض ليفسد فيها وسهلك الحرث وانسل وهللا آل يحب الفساد
502باآلثم فحسبه جهنم ولبس المهاد
Akhnas Bin Shuraiq Ki Taraf Ishara Hai Wo Intehai Khush Kalaam Tha Isliye Aap ﷺKo Us Ki
Baatein Pasand Aati Thee To Yahan Aap ﷺKo Kaha Ja Raha Hai Ki Aise Log Asal Me Sakht
Jhagdaloo Hai Aur Jab Wo Palat Kar Jaate Hain To Khet Aur Naslo Ko Tabah Kardete Hai
Jaisre Akhnas Bin Shuraiq Ne Madina Se Makkah Wapsi Par Kiya.
DARUL ARQAM Page | 9
Juz 2 Question And Answers
Amoomi Hawalay Se Dekha Jaye To Bataya Jaraha Hay Ke Buhat Se Khush Kalam Log Sirf
Baatein Banate Hai Aur Kaam Kuch Nahi Kartay Allah Ke RastE Me Aur IntehaYi Jhagdalu Aur
Fasad Karne Wale Hote Hai Aur Un Se Allah Muhabbat Nahi Rakhte.
Q3. A208 Islam Me Kaise Daakhil Hona Hai? Isse Kya Muraad Hai?
Ans. Islam Me Poore Ke Poore Dakhil Hona Hai, Deen Ki Tamam Baato Ko Apnana Hai Aur
Un Par Amal Karna Hai Ye Nahi Ke Jo Achi Lage Wo Maan Le Aur Baqi Chod De.
Q3 Aayath 208 Ka Tarjuma Likhiye Aur Bataayiye ke Is Mein Se Kya Aham Baat Pata
Chalti Hai.
Ans. “Ay Logo Jo Imaan Laye Ho Dakhil Ho jao Deen Me Poore Ke Poore Aur Na Tum Pairvi
Karo Qadmoo Ki Shaitan Ke Beshak Wo Tumhare Liye Dushman Hai Khullam Khulla”
Deen Ke Kuch Ehkamaat Par Amal Karke Kuch Ko Nazarandaaz Nahi Kiya Jaa Sakta Hai, Har
Hukm Par Amal Karna Hai.
Q4. Duniya Kin Ke Liye Khoobsoorat Hai?
Ans. Kaafiro Ke Liye.
Q5.Kaanan Naasu Ummatan Waahidan Se Kya Murad Hai?
Ans. Tamam Log Ek Hi Jamat Se Hote The.A) Adam(As) Say Hazrat Muhammad ﷺTak
Tamam Ambia Ka Deen Islam Tha.B)Adam (As)Se Nooh (As) Tak Wo Log Tawheed Par
The,Lekin Nooh(As) Ke Waqt Un Logon Me Shirk Daakhil Hone Ki Wajah Se Ikhtelaaf Aaya
Aur Mukhtalif Firkho Me Bat Gaye.
Q6.a. ‘Qulil Afw' Se Kya Muraad Hai? Aayath Ki Wazaahat Mein Ek Hadeeth Likhiye.
Ans. Isse Muraad Zayed E Zarorat Maal,Wo Maal Jis Ko Dene Se Takleef Na Ho Aur Baghair
Mange De Dia Jaye Aur Wo Behtareen Maal Ho.
Hadith Ka Mafhoom.Jo Ham Kha Peele Yaa Pehan Le Wo To Qatm Ho Jaata Hai, Jo Chod
Dete Hai Wo To Waarison Ke Liya Hai,Lekin Jo Sadqa Karte Hai Sirf Wahi Apna Asal Maal Hai
Jo Akharat Ke Account Me Jamaa Hota Hai.
B)Maal Kis Par Kharch Karna Hai?
Ans. Waaldein, Rishte Daar, Yateem, Miskeen Aur Musafiro Par.
Q7. Ayath 216 Ki Shaane Nuzuli Kya Hai?
كتب عليكم القتال وهو كره لكم وعسى أن تكون شيا وهو خير لكم وعسى أن تحبو شيا وهو شر لكم وا هلل يعلم وانتم آل
512تعلمون
Ans. Jab Musalmaan Makkah Me The To Khwahish Karte The Ke Mushrikeen Makkah Se
Badla Le To Un Ko Roka Jaata Tha. Phir Madina Mein Jab Unko Qital Ka Hukm Huwa Tu Wo
Nahi Chah Rahe The To Is Par Ye Ayat Nazil Hui Thee.
Q8. Qatl Se Bada Kya Hai ?Kyun?
Ans. Fitna Bada Hai Kyun Ki Neki Se Rokna, Allah Ke Raste Say Rokna, Gharon Se Beghar
Karna Aur Bhi Bada Jurm Aur Gunaah Hai.
DARUL ARQAM Page | 10
Juz 2 Question And Answers
Q9. Agar Koi Kufr Par Mar Gaya To Kya Hai?
Ans.Us Ke Duniya Aur Akharat Ke Tamam Amaal Zaya Hogaye Aur Woh Hamesha Jahannum
Me Rehega.Duniya Me Uska Kafan Dafan,Namaaze Janaaza Aur Tadfeen Musalmaano Ke
Tareeke Se Nahi Hogi Aur Naahi Wo Musalmaan Ke Tarke Me Waaris Hoga Naa Uske Tarke
Ka Musalmaan Waaris Hoga.
Q10. Kabeera Gunaah Ki Pehchaan? Yahaan Kaun Kaun Se Gunah Kabeera Gunaah Hai?
Ans. A)Jin Par Allah Ki Laanat Ho
B)Jin Par Had Jaari Ho
C)Jin Par Azaab Ki Khabar Di Gayi Ho,Quran Aur Sunnat Me.
Mah E Haram Mein Qatal Karna, Jang Karna Allah Ke Raste Se Rokna, Kufr Karna( Shirk
Karna), Masjid E Haram Say Rokna Aur Usse Nikalna.
Q11.Allah Ki Rehmat Ka Haqdaar Kaun Hai? A218.
Ans. Jo Imaan Laye, Jinhone Hijrat Ki, Aur Jihad Fi Sabil Illah Kiya
Q12. Sharaab Aur Juwe Ke Baare Me Kya Hukm Hai?
Ans. Haraam Hai Aur Inka Gunah Buhat Bada Hai. Inke Faide In Ke Nuqsanaat Se Kahi Zyada
Thode Hain.
Q13. Kaunsa Maal Kharch Karna Hai? A219
Ans. Zaid E Zarorat Maal (Afw)Kharch Karna Hai Jo Bach Jaye Aur Dene Mein Takleef Na Ho
Aur Baghair Mange De Diya Jaye.
Q14. Yateemon Ke Baare Me Kya Hukm Hai?
Ans. In Ke Sath Ache Sulook Ke Sath Sath Un Ki Bhalai, Islah Aur Khairkhwahee Maqsood
Hai. In Ko Apne Khane Me Bhi Mila Sakte Hain Magar Niyat Me Fitna Na Ho Ke In Ka Maal
Hadap Le.
Q15. Kya Mushrik Ya Mushrikah Se Nikaah Jayaz Hai? Kyun?
Ans. Nahi Jaaiz. Wo Aag Ki Taraf Bulaate Hai,Matlab Jahannum Ki Taraf.Isse Imaan Ke Zaya
Hone Ka Andesha Hai.
Q16. Haiz Me Kya Kya Mana Hai?
Ans. 1. Namaz Nahi Padhna 2. Roza Nahi Rakhna 3.Tawaf E Kaaba Nahi Karna 4. Masjid Me
Nahi Jaana 5. Quran Ko Nahi Choona 6.Rafas Nahi Karna.(Sexual Intercourse)
Q17.Kyun Auraton Ki Misaal Kheti Se Di Ja Rahi Hai? A223
Ans. 1. Qeemti Cheez Hai, Aurtein aur Khet dono
2.Khet Ko Abaad Rakha Jaata Hai aur Aurat ko bhi, Aisa Nahi Ke Nikah Kar Ke Shohar
Ghafil Hojai, Bewi Ki Parwah Na Kare
3. Kheti Ki Nigrani Ki Jaati Hai Jaise Shohar Bewi Ki Hifazat Karta Hai.
4. Khet Me Jakar Insaan Khush Hota Hai To Shohar Ke Liye Biwi Khushi Ka Sabab Hai.
DARUL ARQAM Page | 11
Juz 2 Question And Answers
5. Kheti Ek Milkiat Hoti Hai To Shohar Ke Liye Bewi Bhi Khaas Hoti Hai.
6. Khet Se Phal Lena Hota Hai Isi Tarah Biwi Aulaad Deti Hai.
Can Check Lecture For Points
Q18. Qasmon Ke Baare Me Aap Kya Jaante Hain? A224 - A225
Ans.Sirf Allah Ke Naam Par Hi Qasm Khayi Jaa Sakti Hai.Allah Ke Naam Par Jhooti Qasm Nahi
Khayi Jaa Sakti Hai.
Jhoothi Qasm Ka Kaffaraa-10 Ghareebo Ko Khana Or 10 Ghareebo Ka Kapda Or 3 Din Ke
Roze Or Ek Ghulaam Azaad
Q19.Eela Kya Hai? Aap Iske Baare Me Kya Jaante Hain?
Ans. Aurat Se Jismani Talluq Qaim Na Rakhne Ki Qasam Jo Is Ka Shauhar Khaye.
Jo Koi Mard Aisi Qasm Khaye To 4 Mahino Me Biwi Se Rujoo Karle Aur Agar Na Kiya To Biwi
Qazi Ke Zariye Talaaq Le Sakti Ya Nikah ko Fasq(Dissolve) Karwa Sakti Hai. 4 Mahino Se
Zyada biwi Ko Muallaqah Chodna Haram Hai.
Q20. Masnoon Talaaq Ka Tareeqa Kya Hai?
Halat E Tohar
Tohar Me Shohar Aur Bewi Ne Mubasharat Na Ki Ho
Shauhar Biwi Ko Ek Talaq Dega Aur Bewi Ki Iddat Shuroo Hojaaegi Jo Teen Haiz Yaa
Teen Maah Hogi
Iddat Biwi Apne Shohar Ke Ghar Me Guzaaregi Jiske Dauran Shohar Ko Rujoo Karne
Ka Haq Hoga.
Teen Maah Guzar Jaane Ke Baad Aurat Azaad Hai.Chahe To Bahar Nikaah Karle Aur
Agar Wapas Shohar Se Nikaah Karna Hai To In Dono Ko Aurat Ki Razamandi Se Phir Se
Nikaah Naye Mehr Ke Saath Hoga.
Is Talaaq Ko Talaaqe Raji Kehte Hai.
Isi Tarah 3 Talaaq Ke Baad Rujoo Karna Mumkin Nahi Hai Baghair Halalah Ke.Teesre
Talaaq Ko Talaaqe Baa-In Kehte Hai
Q21. Kya Halalah Jayaz Hai?
Ans.Nahi,Agar Sirf Pehle Shohar Se Nikaah Ke Liye Contract Marriage Ki Tarah Agar Kiya
Gaya Ho To Haram Hai
Q22. A230 Samjhayiye .
Ans. Agar Talaq Baaein Waqe Ho Chuki To Mard Par Us Ki Bewi Kisi Tarah Halal Nahi Jab Tak
Wo Kisi Aur Se Nikah Nahi Karleti Aur Dosra Shohar Apni Marzi Se Talaq Nahi Deta, Tab
Pehla Shehar Apni Sabqa Bewi Se Rujoo Kar Sakta Hai Nikah Ke Liye.
DARUL ARQAM Page | 12
Juz 2 Question And Answers
Q24. "Roklo Maaroof Tareeqe Se , Ya Chod Do Maroof Tareeqe Se" Se Kya Muraad Hai?
Ans. Agar Aurat Ko Wapas Apni Zindagi Me Le Rahe Ho To Use Acha Aur Khush Rakhne Ki
Neeyat Se Wapas Bulao, Takleef Dene Ki Neeyat Se Nahi, Aur Agar Talaaq Dekar Alag Kar
Rahe Ho To Bhi Koi Takleef Na Do, Achi Tarah Se Ruksat Kar Do
Q25. In Khawaateen Ki Iddat Ki Muddat Likhiye.
Bewa-4 Months10 Days
Talqiyafta-3 Menses/Tohr/3 Months(For those who do not get Periods_
Khula Ke Baad-1 Menstrual Cycle/1 Month(For those who do not get periods_
Pregnant-Till Delivery
Sayqul Parah 2. Surah Al Baqarah Ayath 231 – 252
Part 4 -(Till End- Last Quarter)
Questions & Answers
Q1.A 231 - Kaunse Talaaq Ka Zikr Hai Jisme Aurat Apne Shohar Se Wapas Nikaah Kar
Sakti Hai?
Ans. Talaaq –E- Rajai
Q2. Nikaah Pehle Shohar Se Karne Me Behtari Hai Ya Baahar?
Ans. Talaaq-E-Rajai Mein Pehle Shohar Se Aur Agar Talaaq Baaen Ho Chukee To Bahar.
Q3. Kitne Arse Tak Doodh Pilaane Ka Hukm Hai?
Ans. 2 Saal (For Both Boys and Girls)
Q4. Doodh Pilaane Waali Ka Naan Nafqa Kis Par Hai?
Ans. Baap Par Bache Ke
Q5. Bewaa Ki Iddat Kitni Hai?
Ans. 4 Months Aur 10 Days
Q6.Kya Bewaa Shaadi Karsakti Hai?
Ans. Jee Haan Iddat Khatam Hone Ke Baad Karsaktee Hai.
Q7.Bewaa Ko Iddat Me Ya Iddat Ke Baad Nikaah Ka Paigaam Kaise Bheja Jayega?
Ans. Iddat Ke Dauraan Khulam Khula Paigham Ya Koi Chup Kar Waada Nahi Karna Chahiye
Nikah Ka Balke Isharatan Paigham Diya Jasakta Hai. Iddat Khatam Hone Ke Baad Baham
Razamandi Se Nikah Kiya jayega.
DARUL ARQAM Page | 13
Juz 2 Question And Answers
Q8. Talaaq Yafta Ko Nikaah Ka Paigaam Kaise Bheja Jayega?
Ans. Talaaq Raji Ho To Iddat Mein Na Khufya Aur Na Khula Paigham Diya Jaaega Aur Agar
Talaaq Baaen Hochuki Ho To Iddat me Khoofiyah diya jaa sakta hai Iddat Ke Baad Paigham
Diya Jasakta Hai.
Q9. Mehar Ke Haalaat Aur Unko Ada Karne Ke Haalaat
Mehr Muqarrar
Khalwat Nahi Hui Nisf Mehr
Khalwat Howee Puri Mehr Ada Karni Hogee
Q10. A238 Salaat Al Wusta Kaunsi Hai? Daleel?
Ans. Asar Ki Namaz
Hadith: Hazrat Abdullah Bin Masood Aur Ibn-E-Abbas Say Riwayat Hay Aap ﷺNe Farmaya,
“Salat Ul Wusta Namaz E Asar Hai” (Tirmizi)
Q11. Khauf Ke Waqt Kaise Namaz Padhi Jaayegi?
Khauf Ke Waqt Paidal Ya Sawari Par Namaz Padhi Jasaktee Hai.
Imam Ke Peeche Jamat Me Hi Hogi
2 Groups Banayenge , Jang Ke Waqt. Ek Group Aadhi Namaz Imam Ke Saath Aur Ek
Group Maidane Jang Me Aur Baaki Aadhi Apni Apni Padhenge
Q13. Qarze Hasana Kya Hai?
Ans. Allah Ke Raste me Apna Maal Kharch Karna Jiske Returns Akhirat Me Milenge
Q14. A246. Bani Israayeel Ke Kis Nabi Ka Daur Hai?
Ans. Hazrat Samoil
Q15. A247 Allah Ne Kisko Kyun Chuna? Kin Do Sifaat Par Chuna?
Ans. Allah Ne Talooth Ko Uski Ilm Ki i Aur Jismani Taqat Ki Buniyaad Par Chuna
Q16. Taaboot Kya Hai? Usko Kaun Le Gaye They Aur Kaise Waapas Lautaya?
Ans. Taboot Ek Sandooq Tha Aur Is Mein Mann Ki Bottles,Hazrat Moosa Ka Asa, Taurat Ki
Takhtiyan, Aur Tabarukat Jo Aal E Moosa Aur Al E Haroon Chod Kar Gaye The.
Usko Amaaleqa Ne Le Liya Tha Jab Wo Bani Israel Par Hamla Kar Ke Ghalib Agaye The. Us
Taboot Ko Farishte Wapas Le Kar Aye The.
Q17.Ummate Wasat Ki Haisiyath Se Hamaari Kya Zimmedaari Hai?
Ans. Allah Ke Paigham Ko Aam Karna.
DARUL ARQAM Page | 14
Juz 2 Question And Answers
Q18. A249 Bani Israyeel Ki Aazmaaish Kaise Hui?
Ans. Taloot Ne Apne Lashkar Se Kaha Tha Ke Ek Nehr Ka Pani Na Peena ,Par Un Ke Lashkar
Ke Logo Ne Baat Na Maani Aur Buhat Se Logo Ne Pani Pee Liya Siwayei Chand Ke.
Q19. A250 Kya Dua Maangi Jaa Rahi Hai Aur Kin Haalaat Me?
Ans. “ Aay Humaray Rab Daal Day Hum Par Sabr Aur Jama De Humare Qadmo Ko Aur
Madad Kar Humari Oopar Kafir Qaum Ke”
Taloot Ke Lashkar Ke Buhat Se Log Peechay Hath Gaye The Aur Bahut Thode Logo Ke Sath
Taloot, Jaloot Ke Muqable Ke Liye Nikle.
Q20. Jaaloot Ka Qatl Kisne Kiya?
Ans. Hazrat Dawood(As)
Q21. Allah Taala Ne Dawood As Ko Kaisa Ilm Diya?
Ans. Allah Ne Aap Ko Zaboor Di, Ilm Sikhaya, Hikmat Di, Apke Hatho Me Loha Narm hota
Aur Wo Lohe ki Zirhein Banate.
Q22. A252 Kaun Mursaleen Me Se Hai?
Ans. Hazrat Muhammad ﷺ
Q23. Murdaar Ko Khaane Se Kyun Mana Kiya Gaya ?
Ans. Kyun Ke Wo Gunaah Hai, Sahet ke liye bhi bura hai, Usse beemariya hoti hai.
DARUL ARQAM Page | 15