0% found this document useful (0 votes)
36 views3 pages

Fictional Story of Tariq's Dreams

The story is about a man named Tariq who has dreams of becoming a pilot since childhood but develops a fear of heights. He faces ridicule from his community and struggles to find purpose. He eventually takes to freeing birds as a way to feel he is living his dreams vicariously and finds new meaning in life.

Uploaded by

std32520
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
36 views3 pages

Fictional Story of Tariq's Dreams

The story is about a man named Tariq who has dreams of becoming a pilot since childhood but develops a fear of heights. He faces ridicule from his community and struggles to find purpose. He eventually takes to freeing birds as a way to feel he is living his dreams vicariously and finds new meaning in life.

Uploaded by

std32520
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 3

Final Assignment

Brief: Observe and select a real person around your neighborhood/family(NOT


FROM KU) that you find interesting and create a fictional story around them.
(2-3pages).
Use imagination, to come up with their interesting back story, their current
problem, and how would be coping with that problem and lastly, where do you
see them in the next 10 years.

KHUWAABON KE PARINDAY

Gulshan ki galiyon main aik larka rehta tha, wo larka har waqt idhar udhar ghoomta phirta
tha, hamesha khush haal rehta tha kabhi kisi ne usko udaas ya dukhi na dekha, us larke ka
naam tha Tariq.
Tariq yaaron ka yaar tha, jab bhi kisi dost ko uski zaroorat hoti Tariq hamesha wahan madad
ke liye mojood rehta. Tariq ko mohallay ka har fard jaanta tha aur har kisi ki zaban pe Tariq
ka charcha rehta tha. Tariq aik zaheen larka tha, uske din bhar ghoomte phirte rehne se uski
parhayi pe kabhi farq na parha yehi wajah thi ke uske teachers bhi usko pasand karte thay.
Tariq ko bachpan se hi urhne ka bohat shoq tha wo aksar ghanton beth ke asmaan ko takta
rehta tha. Kayi baar tow wo asmaan ko dekhte dekhte aesa khoya ke usko hila ke wapis
duniya main lana para.Tariq ka khuwaab tha ke wo pilot banay aur asmaan main urta phiray
bilkul waise hi jaise wo zameen pe ghoomta phirta rehta hai.Tariq ne apna matric bohat achi
percentage ke saath clear kiya aur phir jab waqt aya college main daakhle ka tow usne bila
jhijhak pre- engineering leli. Tariq ka ta'aluk aik well off family se tha issliye usko apne
finances ko leke kabhi koi masla paish na aya.
College main Tariq ka aik dost Kashan tha jo 12 manzila building main rehta tha aur uska
ghar bhi 12th floor pe hi tha. Tariq ki bohat khuwaish thi ke kamazkam aik dafa wo apne dost
ke ghar ki chhat pe jaye. Kyunke use lagta tha ke wo phir asmaan se aur qareeb ho jaye ga
aur Tariq kabhi itni oonchi jagah pe gaya bhi nahi tha.
Aik roz Tariq ki khuwaish poori hui wo aur uske chand dost, Kashan ke ghar gaye. Tariq
bohat ziyaada khush aur excited tha. Jaise hi wo loog Kashan ke ghar ki building ke paas
pohanchay Tariq ke Dil ki dharkanay taiz hone lag gayi. Wo sab dost lift main bethe aur jaise
jaise lift ooper jaa rahi thi Tariq ki heartbeat taiz huay jaa rahi thi. Tariq ko laga ke ye shayad
uski excitement ki wajah se ye ho raha hai. Kashan ke ghar pe kuch dair bethne ke baad jab
sab loog chhat pe garam garam chai ke lutf uthanay ke liye gaye tow Tariq ki heartbeat itni
taiz ho gayi ke uska ab saans lena bhi dushwaar ho raha tha. Tariq ne iss cheez ko nazar
andaaz kiya aur aagay barha. Jaise hi Tariq chhat ki boundary wall ke paas gaya taake wo
saray nazaray dekhe, uska sar chakraya aur wo gir gaya. (Chhat ki zameen pe). Tariq ko gira
dekh ke sab doston ne usko uthaya, Tariq ki halat bilkul dheeli hui wi thi issliye wo loog usko
kashan ke ghar le gaye. Wahan usko paani pilaya aur phir Tariq ko kashan ne apne driver ke
hathon uske ghar bhejwa diya. Ghar aanay ke kuch dair baad Tariq ye sochta raha ke akhir
usko hua kya tha. Ye soch soch ke uska haal behaal ho raha tha. Tariq ko apne aap pe bohat
afsos ho raha tha kyunke wo itni oonchai ke mazay na le saka. Tariq ne khud ko phir is baat
se tasalli di ke aaj nahi tow phir kabhi sahi main isse bhi ooper jaaunga.
Iss tarah ke maamlaat Tariq ke saath kayi baar huay. Tariq jab bhi kisi oonchi jagah jata uski
tabiyat kharab hone lagti thi. Lekin Tariq ne kabhi umeed na chori aur wo khud ko baar baar
tasalli deta raha ke “jab main pilot banjaunga tow main isse bhi ooncha jaunga”. Isi tarah kayi
saal beet gaye Tariq ki parhayi bhi mukammal honay ko thi.
Lekin ab halaat itne buray thay ke Tariq agar 3 ya 4 mazil pe bhi jata tow usko ajeebsa honay
lagta tha. Aik din apni is halat se wo tung aake doctor ke paas chala gaya. Doctor ko apni
condition batanay ke baad doctor ne usko acrophobia (fear of height) diagnose kardiya.
Tariq ye sun ke bohat mayoos hogaya lekin uska khuwaab abhi bhi qaim tha ke usko pilot
banna hai aur asmaan ko choona hai. Issliye wo therapy ke liye janay laga.
Ahista ashista jab Tariq ke mohallay main ye baat pata lagi ke Tariq nafsiyaat ke doctor ke
paas jata hai tow logon ne uska mazak urana shuru kardiya. Wohi loog jo kal Tariq ki
tareefain karte nahi thakte thay aaj Tariq unke liye aik mazak ban chuka tha.
Kuch waqt baad uske ghar walay bhi usse ye kehne lagay thay ke "Tariq na urh saka tow kya
hua uska mazak tow urh raha haina".
Ghar walon ka ye rawaiyya dekh ke Tariq bilkul toot sa gaya. Usne therapy ke liye jana chor
diya. Wo bilkul udaas sa aur chup chup rehne laga. Jo insaan kabhi apne mohallay ka
chamakta sitara hua karta tha wo aaj toota sitara ban ke reh gaya tha.
Din guzarte gaye aur isi mayoosi main Tariq ki saari jawaani beet gayi. Tariq iss qadar
tanhai pasand hogaya tha ke apne ghar walon ke kayi baar israr karne ke bawujood usne
shaadi nahi ki.
Aik roz bazaar se atay waqt uski mulakaat Kashan se hui. Kashan ko dekh ke Tariq ke chehre
zara bhi khushi na aayi ulta usse wo waqia yaad agaya jo Kashan ke ghar ki chhat pe hua tha.
Kashan ne Tariq ko apne ghar bulana chaha lekin Tariq raazi na hua. Issliye wo loog paas
main hi kisi hotel pe beth ke baatain karne lagay. Kashan ne koshish ki ke kisi tarah Tariq ki
wo chamak wapis laa sakay lekin, purana Tariq tow kahin asmaano main urh ke kho chuka
tha.
Kaafi dair Tariq se baat karne ke baad Kashan ne jatay jatay Tariq se kaha ke "Miyan Tariq,
umar guzaar di aap ne iss udaasi main ab apne boorhapay ka hi khayaal karlo zara." Ye keh
ke wo dono apne apne ghar ko nikal gaye. Tariq ne Kashan ki baat pe gor o fikar na ki aur
apni Zindagi main magan raha.
Aik roz jab Tariq ghar ka sauda le ke wapis araha tha tow aik kawway ne Tariq ki shirt pe
beat kardi. Wo chirh sa gaya aur foran gussay se asmaan ki taraf dekha. Jab usne asmaan ko
dekha tow kuch dair dekhte hi rahay aur kaafi arsay ke baad Tariq ke chehre pe aik muskaan
ayi. Shayad Tariq ke wapis jee uthne ki umeed paida ho gayi thi. Ghar wapis jatay hi Tariq ne
apni halat pe gor o fikar karna shuru ki lekin ab shayad kaafi dair ho gayi thi. Tariq ne apna
sar peethte huay kaha ke "ye main kya kar betha!"
Lekin iss baar Tariq ne haar na maani aur wo apne aap ko khushi dene ke raaste talaash karne
laga. Zaahir hai jo waqt Tariq ne gawa diya wo tow wapis naa asakta tha aur na wo ab pilot
ban sakta tha. Lihaaza usko kaafi mushkil ho rahi thi apni khushi talash karne main. Tariq
kayi din sochta raha aur phir usko khayal aya ke kaise uss kawway ne uske ooper beat ki thi.
Wo kawwa kis tarah befikar asmaan main urhta phir raha tha.
Tariq ko samajh agaya tha ke usse ab kya karna hai. Tariq ne parinde khareedna shuru
kardiye. Uske ke ghar walon ko laga ke shayad wo parinde bechne ka karobaar shuru kar raha
hai lekin aesa bilkul nahi tha. Darasal Tariq ka maqsad un parindo ko azaad karna tha. Uska
ye khayal tha ko un parindon ko azaadi de ke usse khushi aur itminaan hasil hoga ke, wo na
sahi lekin ye parinday tow azaadi se asmaan main urh rahay hain.
Tariq ka ye khayal sahi sabit hua aur usko ye karne se khushi milne lagi. Tariq wapis se
zindagi ki taraf anay laga. Wo roz subha uth ke sabse pehla kaam yehi karta ke aik parinday
ko azaad karta. Tariq ne ab bss apni zindagi ka maqsad yehi bana liya tha. Tariq ka ye manna
tha ke uske khuwaabon ki zindagi wo na jee saka tow kya hua. Wo apne khuwaabon ki
zindagi apne haathon se inn parindon ko de raha hai.
Lekin kahin na kahin Tariq ke dil main iss baat ka afsos zaroor tha ke usko himmat nahi
haarni chahiye thi aur apne khuwaabon ko poora karne ke liye datay rehna chahiye tha.
Picture Of The Character

- His name is Tariq Gillani.


- He used to be my mathematics
teacher in 10th standard.
- I find him interesting because of his
intellectual personality and he’s an
inspiration for me.

By Aisha Asif
Animation
Foundation year 2nd semester

You might also like