Aankho mai nami si kyun hai, chehare pe udasi si kyun hai
Chalana chahata tu sare dukhon se door fir yee gum ka saaya kyun hai
Aakhir kyun hai ye gumon ka raasta, na choda jaye tuzase gumon ka rishta
Bekar me hi to dil ko daba ke nahi na rakha, udana chahe khule aasaman me rok kar kyun hai rakha
Ye dil chahe aur khush rehana, par na jane kyu koi ehsaas hai use rokata
Thanama chahe haath khushi ka, lutana chahe mausam baharon ka
Fir achank se kyun rok deta hai, door kahi andhere me ja kar chup jata hai
Duniya ke liye to bada aabaad aur vishal sa hai, andar hi andar na jane kyu uthata sailaab sa hai,
Puri karana chahe saari mannaten dil, par kyu meharbaan nahi hota khuda har khushi pe,
Haath badhata hai kisi apane ki orr, par use thamane se kyu darata hai,
Kyun sochata hai tu itana sab ke baaren me, tuze bhi khush hona haq hai,
Yuhi kaid na kar apane saare sapnon ko, kyun bekar me hi tu udaas hai,
Yaad
Yaad koi chij nahi jise utha kar baju me rakh de,
Yaad koi dard nahi jo marham lagane se thik ho jaye,
Yaad to wo haseen gujare pal hai jo tumhare saath me hai bitaye,
Yaad to pyare lamahe hai jo saath me hain gujare,
Yaadein to wo hai jisame har rom rom me tum ho basi,
Yaadein to wo hai jisake aane se chehare pe mere khilati hai muskaan si pyari,
Yaad mein to tumhari....ye aawara dil dewaana baichain sa ho jaye,
Yaadein to wo hain jisake ehsaas se hi bas num hai aankhe,
Yaadein to wo hain jisake har kone main bas tuze hi pau,
Yaad wo gehara saagar hai jisame dub kar marana bhi manjoor hai,
Yaadein toh wo hain jo kabhi dil mein kahin tufaan utha de beeten lamahon ke,
Yaadein toh wo bhi hain jo har ek pal ekdusare ko har pal saath me baandhe rahe,
Yaadein kabhi dard de kar jati hai to kabhi mun ko roshan sa kar deti hai.
Ho haya hai tumase pyar!
Ho gaya hai tumase pyar sajaya hai tumhe ahr khwabo me,
Ho gaya hai tumase pyar basaya hai tumhe apani saanso me,
Ho gaya hai tumase pyar chaha hai tumhe har dhadkan me,
Ho gaya hai tumase pyar sajada karata hu tera har pal me,
Ho gaya hai tumase pyar chuaa hai tumhe har ehsaas me,
Ho gaya hai tumase pyar dekhata hu tumhe har khushi me,
Ho gaya hai tumsae pyar pukare ye dil tumhe har gum me,
Ho gaya hai tumase pyar mehsoos karata hu saada apane paas me,
Ho gaya hai tumase pyar dena chahu har khushi saugaad me,
Ho gaya hai tumase pyar ab ek pal ki bhi doori bhi gawara nahi judai me,
Ho gaya hai tumase pyar shayad kabhi bata na saku kitana karata tumase,
Ho gaya hai tumase pyar pina chahu tumhe har jaam me,
Ho gaya hai tumase pyar kho jana chahu tumhari jhulfon ki ghani chaao me,
Ho gaya hai tumase pyar doob gaya hu tumhari aankho ki gehrai me,
Ho gaya hai tumase pyar loot gaya hu tumhari sharmahat me,
Ho gaya hai tumase pyar dekhata hi reh gaya tumhari maasumiyat pe,
Tumhare khwaab aankho me sajane ja maja hi kuch aur hai,
Tumhare saath do pal bitane ka maja hi kuch aur hai,
Tumhari har aada ko chahane ka maja hi kuch aur hai,
Tumhari baaton me khud ko bhula den aka maja hi kuch aur hai,
Tumhara haath haathon me le kar chalane ka maja hi kuch aur hai,
Tumhare saath har sukh-dukh baantane ka maja hi kuch hai,
Tumhe har pal chedane ka maja hi kuch aur hai,
Tumhare haathon se pyar se pitane ka maja hi kuch aur hai,
Tumhare saath me reh kar duniya bhulane ka maja hi kuch hai.
Aaj kal bheed me bhi khud ko tanaha pata hu,
Sirf tere sang hi khush reh pata hu.
Har pal har ghadi bas tumhara hi khayal rehata hai,
Bina soche tumhare bare me na is dil ko karar aata hai.
Har pal saath ho mere ye ehsaas hota hai,
Chuna chahu tumhe to paas me na pa kar rona aata hai.
Dil hi dil me charo taraf tumhari hi murat hai,
Har soch me bas tumhari hi surat hai.
Har dhadkan me bas tumhara hi basera hai,
Har najar me bhi tumase hi sawera hai.
Har muskan me rehati tumhari hi khushabu hai,
Har rom rom me sajati tumhari hi chahat hai.
Haathon me haath hai tera, chhare pe halaki si muskurahat,
Dil ko chu lene wali kaisi hai ye ajeeb si sharmahat.
Paas hai itane ki mehasus ho rahi hai saanson ki garmahat,
Har saans ho rahi hai tez na jane hai ye kaisi ghabarahat.
Aankho hi aankho me doob gaye ab na kuch kehane ki jarurat ,
Ishara hi kar diya dil ne ab na hai koi bolane ka mahurat.
Sir rakh ke kandhon par tumhare ho gaya saare gumon se juda,
Sehala kaar mujh pe haat apane tumane kar diya saare dukhon ko alvida.
Bhar liya baahon me tumhe to duniya mujh me hai samai,
Aa jaaye ekdusare ki aagosh me ab sehen nahi hoti ye judaai.
Saath chlane se tere ho gaye hai door saare dard bhare kaanten,
Yuhi betaye saath jeewanbhar aise hi sari sukh dukh bhari baaten.
Naino me basa hua noor hi hai tera sabase anamol gehana,
Aa chupa lu tumhe sab se kahi door sang sada saath aise hi rehana.
Aawaj me teri hai ek kashish jo bana deti hai mujhe deewana,
Hamesha paas rehane ka tere sada dhundhata rehata hu main bahana.
Pi kar tumhare husna ka jaam ho gayi hai ye shaam mastani,
Tumhare labon ki is siskati si hulchal se ho gayi hai ye jawani diwani.
Zuki hui si teri ye palake saada dhunde mujhe kinaron se,
Mere mun ke aashiyane bhi uthati hain umange baharon se.
Saath hain hum aaj yaha bhul ja wo sare purane pal,
Yuhi milakar sajaye hum apana aane wala kal.
Laheren jaise uth si rahi hai saagar me,
Kayi tufaan uffan rahe hai se humare bechain dilon me,
Moti jiase kahi ban rahe hai geharai me,
Kayi kuch anakahi se ehsaas utar rahe hai humare(iss tanha) mun me,
Kya ye bas ek sapana hai ya hakikat hai…
Tumhare paas hone se jaise naye pankh lag gaye jeewan me,
Haath thaam lu tumhara to mit gaye faasale darmeeyan me,
Yeh sama bhi kaisa madhur hai uthati huyi num leharon me,
Chand ki roshani bhi kahi mit gayi tere chehare ke noor se,
Mun aawara hai dil aashiqana hai,
Bus yuhi ekdusare ka haath pakad ke jeewan sawarana hai,
Bikhari ghani zulfon ka mausam hi kuch suhana hai,
Haathon me liye tere haath aur teri zulfon ki khushbu se ye sama mastana jo hota ja raha hai,
Tere itne kareeb ane ke baad bhi aisa lagta hai ki aur kareeb aa jaun,
Itna kareeb ki teri zulfen mere chehare se hatne ka naam na le,
Aur meri khushaboo tujh me is tarah sama jayein ki teri zulfen mere upar se hatne ka naam na lein
Jub bhi main un hontho ko dekhta hun toh aisa lagata hai jaise inhe kuch kehna hai,
Magar na jane kyun labs juban par aate aate ruk se jate hai,
Kambakht ye dil bhi nhi samajh pata ki kaun se raaz chupein hai un labjon me,
Na jane wo kya raaz jinhe bolne se wo honth kampte hain,
Magar jub bhi un hontho ko bolte dekhta hun toh ji karata hai ye bus bolte rahein aur mai sirf un hontho
ko bus dekhta rahu,
Aur tub tak dekhta rahun jub tak binkahe saare raaz unke bina kahe samajh na lun...
Teri jhukhi hui si nazare dhundh rahi hai kis sagar ka kinara,
Meri nazaren khoj rahi hai tumhare liye us khushi ka najarana..
Meri nazaron me hi dhekh kar toh dekho mil jayega wo kinara..
Par kya karu ae khuda ye kambakht zamana hi un jhuki hui nazahon ko in pyar bhari nazaron me dubane
nhi deti..
Hai ye nazaron ka hi to jadu jo mujh par hai chala,
Bas dekh le ek hi nazar in nazaron me toh ye nazaren bhi ho jaye un par fanna..
Soch hi soch me na jane yeh maine kya soch diya,
Bana ke ashq lamahon ke maine tere aanchal ko rang diya.
Chaya hua hai yeh gajab ka nasha ya kaisi hai yeh khumari,
Humesha salamat rhe yeh do hanso ki jodi humhari..
Sajade kiye honge kahi kabhi maine jo pa liya tumhe iss roop me,
Tuze dekhane chand bhi niklata hoga kisi kone se kadi dhoop me.
Kaisi yeh ankahi si khamoshi do dilon me daud rhi,
Na jane kitane haseen khwab le ke nayi roshani umad rhi.
Dekhte hi dekhte mit gaye faasle jo darmiyan the,
Sapanon ki rangin duniya me do dil fir se jawan ho kar khil uthe.
Har dafa chahe padhana ekdusare ke saare gum,
Kate katati nhi yeh raaten baichain hai ab yeh mun.
Mun yeh bawara ghume har ghadi teri hi galiyon me,
Dhundhe tuze hi har gazal har afasanon ki kaliyon me.
Mud gaya hai har rukh fizao ka badal gaya hai saara sama,
Bas kar duniya me meri bhar diya hai khushiyon ka afsaana.
Ashi ek sundar ramya ashi pahat asavi,
Karnamadhur asha naadane suryachi chahul tuzya sparshane vhavi.
Ashi ek sundar sakal asavi jichi suruvat tuzya najarene vhavi,
Kadhi tu maj ani kadhi mi tuj ase najaretunch dokavnari asavi.
Ashi ek sundar kavita asavi jine keval shabdch nave tar sampurna antrang mornari asavi,
Jichi pratyek suruvat saidaiv tuzya nech vhavi ani shevat mazya var asava.
Asach ek sundar sa manacha athang saagar asava jyacha anth kuthehi nasava,
Jyachya pratyek latemadhe keval tuza ani tuzach vaas asava.
Kadhi eka shant sandhyakali jashi darvalnari raatrani,
Tashi janu tu kahi mazya manamdhe sairbhair daudnari saptarangi madhurani.
Firalo kuthe kuthe chatakasarkha shodhat ashantatetlya shantatela,
Pan kadhi kuthe maj aaram na mile tuzya mithitalya preranela.
Zepavati maze mun saidaiv shodh ghenyas tuza,
Aasusalele maze nayan chohikade pahti ghenya tuzi jhalak.
Unch asha aasmantat janu gheu ashi kahi bharari,
Unchavatil saglyanchya najara jhuknar nahi kunache khande.
Lakho tufan uthtat hrudayamadhe koni kuthe kashi aahes tu,
Pahanya ek najar bharun aaturtene vedavun jai maze mun.
Na menaka na urvashi na rambha nko kunachech roop majla,
Ya sanjvedya bhramrala aahe aasha manmohak najuk sonchafechi.
Ashich ek gojirwani kadhi n sampnari ratra asavi,
Jichyamadhe chandrachi mohak tuni an mazi savali asavi.
Ashich ek rimzim jarnari bedhund barsaat asavi,
Chimb pavsane bhijleli bhebhan aapali mune tharthartya kaljane ektra yavit.
Ashech gunfat jati mun maze janu kahi maal ase sumnanchi,
Guntat jave asech kahi mun aapale janu kahi vate pratyek phool najuk aathvaniche.
Ashi ek oli vaat asachi jichi har ek saad kani padavi,
Thase umatvanari paule aapali jeewanchi unchach unch shikhare gathat jati.
Thandi saanse lete huye utar aayi sadagi jameen pe,
Chand bhi kahi chup gaya badalon me chandani chupane,
Gunj rhi samundar ki lehre........... cheer rhi do dilon ki khamoshi ko,
kaisi hai yeh ajeeb si kashmaksh jo inn aankho me hai basi,
charon dishaon me fail rahi kaisi ye anokhi khushboo hai,
umad rhi halki si roshni se khil raha hai tera ye roshan chehra,
jhuki huyi palken aur tezz chal rhi saanson se madhahosh ho rha hai sama,
aate hi tere haath haathon me mastani ho gyi hai raat,
ankahi raaz khol diye labjon ne paas aa gye do premi janmon janmo ke liye,
ruk si gyi dhadkane adhure se padne lge saare shabd,
bayan ho gyi saari hakiqat sirf nazaron se aur najakat si bhar gyi sham me,
#
Suhane pal le ke aa rhe,
Gujare pal jo saath me tere,
Aanchal ki gehrai ka sukun,
Beete lamhon ke daaman me base,
Kubool hai woh dard bhi,
Jis me tera ehsaas hai,
Naino ki is aankhmicholi me,
Bus gyi rishton ki humjoli,
Here is the thing you want,
And the world is waiting for your charm,
Don’t wanna let it go,
If you feel like the same…
Grab my hand,
Listen to my heart,
Touch my soul,
I’m all yours…
Oh my love how should I explain,
Words are not enough tell my feeling
Kas asat na….
Aai-Bapan porasathi swapn pahaychi ani porani tyach aayushya mhanun aapalich gajvaychi,
He nahi te, te nahi he as mhanat aapalya urashi iccha anek,
Kay karu ani kay nay karu ya davpechat aadakleli swapne anek,
Chyayla karaych hot kahi ani zal bhaltach kahi…
Kas asat na…
Sagale kahi milale pan jawalache kuni rahile nahi,
Swapnachya sharyatit kadhi tutali geli naati kalalech nahi,
Aata matra sanga kashi hoil ya sarwanchi bharpayi,
Chyayla karaych hot kahi ani zal bhaltach kahi…
Kas asat na…
Dusryasathi jagtana aaplya bhavanachi bandhavi lagte moli,
Kuni sangel ka mala nehmich samajasathi ka jato swathaha cha bali,
Mi kay mhanto ya peksha lok kay mhantil ya vicharanchich jasti meli,
Chyayla karaych hot kahi ani zal bhaltach kahi…
Kas asat na…
Balaguni amaryad vishwas swatacha,
Dadkhavun dya ya tondfutya samajala,
Chala tar sanga sarwana garvane sarv kahi,
Chyayla karaych hot kahi ani tech karun siddha kel sarv kahi…
Chal ke seedha utar aayi ho tum na jane kaun si duniya se,
Khwab ho ya koi hakiqat tumne jannat basa di iss virane me,
Paas ho tum yeh ehsaas hi kafi hai,
Fir na koi gila na shikwa hai iss jahan se,
Ji rha pal jo sang tere sukun sa bhar rhe saanson me,
Yaadon ka kafila sitaren ban ke cha gya,
waqt na jane kyun tezi se daud rha teri baahon me,
koi aake thehra de in lamhon ko bandhe rhe najakat ko,
thaame har pal haath meri yeh kaisi gazab si khamoshi hai,
ban ke khushboo umad rhi saason me ek anokhi tazagi hai,
khushnumaa sa roshan mahaul hai jisme duniya basti hum se,
khwab ho ya koi hakiqat tumne jannat basa di iss virane me…
Sarale te diwas uralya tya fakta aathwani,
Chala karuya swagat nav varshache nvya umedeni.
Tich gulabi thandi pan sparsha asel nava,
Chahul rimjhimnarya sarichi pan gandh maticha asel nava.
Toch yeil dhagdhagnara unhala punha ekada,
Junya navya aathavanicha fulun yeil pisara.
Sukhad ase kshan sadaiv raho parivarasamet,
Ekmekanche dukh janun eksaath rahu navvarshasamet.
Chala karuya swagat nav varshache eksaath,
Ashach kahi navin sukhad aathvaninchya saath…
Dhal gaye who din reh yagi bus yaaden,
Chalo mil kar kre swagat naye saal ka khushi se.
Wahi gulabi thandi par sharsh hoga naya,
Aahat rimjhim barasne wali barish ki lekin gandh mitti hoga naya.
Wahi aayega dehlanewala mausam garami ka,
nayi purani yaadon ka udhar aayega kafila.
Khushi ke aise pal rahe humesha parivar ke sang,
ekdusare ke gum jan kar rhe sang naye saal ke sang.
Chalo kare swagat naye saal ka eksaath,
aisse hi kuch naye khushiyon ki yaadon ke saath...
#
Uff kaisi hai yeh tadap kaisi yeh baichaini hai,
door rhe tum se toh na jane kaisi yeh berukhi hai,
jhagad pade tumse bina kisi karan se,
na samajhna chahe yeh dil kisi wajah ki pabandi se,
khud se bhi anjaan hota hai kyun aisse kar rha,
fir bhi na jaane kyun isse hai har doori ko le kar ladhna,
milte hi tum se saare gile shikwe dhuwa ban ke udd jaye,
sirf teri aur meri hi kahani buland rhe,
hothon pe khilti na juda hone wali yeh kaisi hansi hai rehti,
maano tu hi meri muskaan banker hothon pe hai basati,
kya doori kya fasle sub gawara se ho jate paas aate hi tere,
bhool ke saare purane pal bus khud me mast rehte yeh silsile.
Yun tera aise masumiyat bhari nazaron se dekhna dil ko chu jata hai,
khubsurati pe teri sharmahat ki chadar si odha deta hai.
yun chal ke tera meri or bhadhana dil ki dhadkanon ko tezz kar deta hai,
rishtey pe humari woh char chand se laga deta hai.
yun tera choti bacchi ki tarah mujhse baat karna dil lubha leta hai,
pyare se aankon me teri anokhi raunak si le aata hai.
Yun tera mere kareeb aa kar chu lena makhmali ehsaas sa deta hai,
Fir pyar par mujhe aur bhi pyar aa jata hai.
Yun tera mujhe har pal chedhna pyar bhara gussa de jata hai,
Iss pyare se gusse me bhi tum pe bahut pyar aata hai.
Yun tera mere pyar me rang jana mun me hajaron khawb de jata hai,
Unhi khwabo ki sadagi me doob kar yeh bawran mun machal jata hai…
#
When I sleep I dreams about you,
When I wake up I can see you,
When I smiles I remembering you,
When I cry tears can feel you,
All I want to say is… be forever with you.
When I close my eyes I think about you,
When I open it wanna see you,
All I want to say is… be forever with you.
Whatever may be the distance can’t apart us,
Things are bad or worst makes close to you every day,
Blossom of your touch makes my soul awake,
Thought of yours always skips a beat of my heart,
All I want to say is… be forever with you.
When I saw you I hungered for your touch,
Presence of yours never makes me lonely,
Need your love for eternity,
Hold me in your arms without any reason,
All I want to say is… be forever with you.
Flow in my arms like a thirty river,
Want to give all my love for you darling,
I am standing here always beside you,
You are my princes, just say yes and be mine forever,
All I want to say is… be forever with you.
Uff yeh pyar ne kaisa haseen sa dard de diye,
Dekhte hi usse dil ne tadpana shuru kar diya,
Palkon me usaki meri chahat ka sawera ho gya,
Aarjoo me bus usse pane ka bahana sa mila gya,
Dor se koi roshani ki kiran de rhi hai ujala,
Usaki ek hi jhalak se mil gya jine ka aasara,
Yeh ishq nhi hai aasan kehte hai log saare,
Lekin pyar ne hi khol diye har manjhil ke darwaje saare,
Mud jata hun har waqt gali me teri,
Yahi ummed hoti hai mil jaye teri aahat kadmon ki kahi,
Raat-din dua me bus tumhe hi maangu,
Barsa de rehmat apni tu qabool kar dua meri,
Deti hai hasaton ki lehren dil pe dastak,
Paar kar dun ye fasle ye darmiyan tere dil ko choone ki jusatjoo me,
Rakh kar sir ko aanchal me tere,
Safar kar lu tuz sang sapanon ke jahaan me,
Tammnnaon ka silsila jhoom uthata hai,
Jub bhi tera khayar rubaroo hota hai,
Ruh-ruh chilla uthathi hai naam se tere,
Har katra bhi tere pyar me umad jata hai…
yeh saam ka hai nasha ya teri jhulfon ka jadu,
madhahoshi me jhoom ke ho rha yeh dil bekabu,
saanson ki khumari dhadkanon ki tajagi,
husn pe chadhati yeh kaisi gajab ki sadagi,
lath lag jaye aisi katilana teri jawaani,
jo dol na jaye tuz pe woh kis kaam ki aawargi.
tum se mil k o saajana...
fir se jeene ki chahat si ho gyi,
labjon ko job kar kavita karne ki khwaish ho gyi,
bikhre tukado me bati thi jo zindagi,
usase na jane kaisi kashish se ho gyi,
tum se mil k o ranjhana...
taaron ki mehfil me chamchamati huyi,
chandani ki baarat saj gyi,
maddham si roshani me sikudi huyi,
kaliyon ko muskaan mil gyi,
tum se mil k o saathiya...
beparwah dil ne bhi dhadakna chaha,
aanjan si raahon ko mukaam mil gya,
naadan iss mohobbat ne bhi pa liya,
ehsaas ek anokha anchuaa sa,
tum se mil k o beliya...
jeena ka rukh badal sa gya,
milan ka nasha ubhar sa gya,
har pal masti me jhoom sa rha,
jannaton ka safar tay kar rha,
tum se mil k o mahiya...
khuda bhi ishq se majboor ho gya,
yaadon ka silsila dastur ban gya,
pyar ka nasha aarjoo me bas gya,
mukkammal iss deewane se roobaroo ho gya,
tum se mil k o saajana...
rukh badal gya jeene ka,
chaa gya hai nasha milan ka,
jhashna manaate huye har palon ke sang,
safar kar liye jannaton ke saare
Chehra mera tha aankhen usaki,
Madhahoshi ke aalam me bhad rhi thi bekarari,
Nigahe uski kehti gyi dil ka fasana,
Dil pe mere likhte gye pyar ka nazarana,
Najhron hi najhron ne aissa jaadu kar daala,
Deewane in dilon ko ghayal kar daala,
Labjon ne hothon pe aane se inkaar kar diya,
Aankho ne hi sub kuch bayan kar diya,
Badhati huyi saanse sama rangin banati gyi,
Halki si roshani me uski murat dil utrati gyi,
Nazaron ki kashmkash ne iss lamhe ko aur bhi dilkash bana daala,
Khamoshi se hi do dilon ne pyar ka ijhar kar daala…
Sochta hoon kya woh bhi kbhi muskurati hogi mujhe yaad karte,
Letkar bistar par dekhe chat ko kho jati hogi khayalo me mere.
Baichaini si badhane lagti hogi saanse tezz si ho jati hogi,
Jaise pyar me ho rha mujhe waise wo bhi mehsus karti hogi.
Dekhkar shishe me kya who bhi sharmati hogi,
Piche se khade ho kar bahon me bhara hua mujhe paati hogi,
Har pal khayalon me bhi bus main hi rehta rahunga,
Jaise pyar me ho rha mujhe waise ho bhi mehsus karti hogi.
#
Dekh ke tuze dil ne dhadakna chaha,
Chahne se tuze rok na paya,
Pane ki tamannah se machal utha,
Uff tune ye kya jaadu kar daala…
Band aankon se tera hi chehra nazar aaya,
Aane se khayal tera surur bhadh gya,
Badhane se baichaini mohobbat ka sislsila mukkamal hua,
Uff tune ye kya jaadu kar daala…
Bheegi palkon ne tuze pukara,
Pukarne se teri yadon ka kafila jaaga,
Jaagne wali teri aarjoo ne ishq ka paigaam likh diya,
Uff tune ye kya jaadu kar daala…
Oos se bheegi subah me tuze hi dekha,
Dekhne se mun ka bawara panchi jhoom utha,
Jhoomne wale iss pal ne pyar ko madhahosh kiya,
Uff tune ye kya jaadu kar daala…
Nazaron ne kuch ghayal iss kadar kar dala,
Ek pal ke liye khud ko hi bhula dala,
Charo dishao ne kar dala,
Bayan hale dil ka,
Aaj dil ne ghustakhi karna chaha…
Chum ke tere haaton ko
Galiyon se gujara har waqt pane teri jhalak,
Taka karte the har pal
Rango se har mehlfil ko saj dala,
Eksaas ne hi
Paas se gujrne wali teri mehek me,
Yun toh jamane ko mohobbaat na gawara,
Kaise izhar kre iss aashiqi ka,
Yeh talaash na jane kub khatm hogi,
Yeh pyas na jane kub bhujegi,
Khushi ke intzaar me na jaane,
Kub roshni dekhne ko mil payegi,
Aasman se gire boondon se,
Mehak uthi hai yeh dharti,
Pyar ke ankahe ehsaas ne,
Dil ki dhadkane jhoom uthati,
Sadabahar chand ki chandani kashti,
Sawar huye do ajanabi panchi,
Nayi raah ki talaash me,
Naye jeewan ki saadagi ke aas me,
Pukarta yeh kaarwa,
Bulati hai yeh hawa,
Paas aaja mere,
Kahi se aa ke chu ja mujhe,
Aate aate yu hi tere khayal dil me aa gye,
Badi mushkil me iss dil ko daal gye,
Rangeen sub afsaane ho gye,
Dil me teri tasweer utaar gye,
Na dawa na dua ki jrurat ab mujhe,
Tere naam ke alfaaj me hi justjoo hai,
Khushiyon hi humjoli me,
Sada hum dono bandhe rhe,
#
haath me haath jo aa gya tera,
Zindagi mil gyi ho jaise,
Pyase kuye ko,
Boond pani ki mil gyi ho jaise…
Aanhon me aankhe jo utar gyi teri,
Rishoni mil gyi ho jaise,
Bujhte huye parwane ko,
Shama mil gyi ho jaise…
Saanso me saanse jo sama gyi teri,
Dhadakne mil gyi ho jaise,
Khilte huye phool ko,
Khushboo mil gyi ho jaise…
Ruh se ruh jo jud gyi teri,
Jannat mil gyi ho jaise,
Bhatke huye raahi ko,
Rehmat khuda ki mil gyi ho jaise…
Mera naam tu haathon se likh de jara,
Issi ummed se jee rha hoon sada,
Kyun chalet chate ruk si jati hai tu zindagi,
Kyun halke se aasu de jati hai tu zindagi…
Ek pal lge sub thik sa kar diya,
Dusre hi pal tune apna rukh mod liya,
Khushi me bhi gum ka ehsaas hai tu deti,
Sub kuch paas ho ke bhi mun ko veeran tu kar deti,
Kyun chalet chate ruk si jati hai tu zindagi,
Kyun halke se aasu de jati hai tu zindagi…
Gum ke baad khushi ne aanchal tham liya,
Khushi me bhi apno ko pare kar diya,
Sub kuch haasil karke bhi tune na kisi ko thamne diya,
Jeene ki daud me tune saare rishton ko hara diya,
Kyun chalet chate ruk si jati hai tu zindagi,
Kyun halke se aasu de jati hai tu zindagi…
Har koi hai daulat ka pyasa,
Kisi ko na rha apno ke pyar ka nasha,
Main bada ya tu bada isi chakkar me hai fasaya,
Tune toh sub ko hi apne isharon pe hai nachaya
Kyun chalet chate ruk si jati hai tu zindagi,
Kyun halke se aasu de jati hai tu zindagi…
Ab toh
Labjon ka hi hai sahara,
Yadon ka hi hai najara,
Iss ishq ki raah ko,
Tera hi hai aasara…
Ab toh
Aasuon ko kinara na rha,
Koi humdard na rha,
Iss dil ki dhadkno ko,
Tera hi hai basera…
Ab toh
Fhool
Ae badal hat ja jara,
Yun na kar ab humse ruswa,
Dikha de uska chehara,
Khuda ne jise humare liya banaya…
Ae saawan tu baras ja jara,
Gum ko bhula ke has de jara,
Aasman se utar bhi do uss apsara ko,
Khuda ne jise humare liye banaya…
Roshan si chandani,
Khil uthi jameen pe,