0% found this document useful (0 votes)
30 views6 pages

Kafan Raste Me Hai

The narrative follows Devraj and Tinku as they travel to visit Devraj's ailing sister, Kusum, who is battling cancer. Amidst the cold and emotional turmoil, they discuss the gravity of the situation, with Tinku revealing that Devraj's brother-in-law is preparing for Kusum's impending death. The story culminates in a poignant moment where they confront the reality of loss as they prepare for Fateh Singh's funeral, highlighting themes of mortality and the weight of waiting for the inevitable.

Uploaded by

ddhuudduu
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
30 views6 pages

Kafan Raste Me Hai

The narrative follows Devraj and Tinku as they travel to visit Devraj's ailing sister, Kusum, who is battling cancer. Amidst the cold and emotional turmoil, they discuss the gravity of the situation, with Tinku revealing that Devraj's brother-in-law is preparing for Kusum's impending death. The story culminates in a poignant moment where they confront the reality of loss as they prepare for Fateh Singh's funeral, highlighting themes of mortality and the weight of waiting for the inevitable.

Uploaded by

ddhuudduu
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 6

EXT.

RAILWAY STATION - MORNING


Sardiyon ki Subah ki dhund aur railway station par khadi gaadi chhut bas chutne ko hi thi
Train ki tez raftar se guzarne ke baad khali platform par Devraj(55) ek suitcase bag lekar
khada hai. Thand se thithurte hue, jeb se phone nikalta hai. Chashma lagakar Kuchh
number dial hi kar raha hote hai ki tabh uske pass ek jawaan ladka Tinku aata hai. Tinku
Devraj ke per chhuta hai aur uska samaan uthakar use sath le jata hai.

OUTSIDE RAILWAY STATION


Railway station ke bahar Car ke pass pahunchkar Tinku gaadi ke peeche ki Dikki kholta
hai aur Devraj ka samaan car me laadna shuru karta hai. Devraj station ko dekhta hai.
Uske hath me ek ti n bag hai.

Devraj- Yahaan to bahut thand hai.


Tinku - Gaanv me isse zyada hai chachaji. Laiye ye bhi rakh deta hu.
Devraj - Ise mai apne sath rakh leta hu.
Dikki Band karta hai.
Tinku - Chaliye, bahut dur jana hai.
Devraj - Dur jana hai? To r raste me kahin chai peete hai. Bahut thand hai.

Tinku aur Devraj Gadi me baith jate hai aur wo nikal padte hai. Gadi kazbe ko langhkar
gaanv me pahunchti hai. Khet khalliyan kohre se dhaken hue aur sadkon par 50 meter se
agey kuchh nahi dikh raha hai isliye gati dheemi hai.

INT. RUNNING CAR - MORNING


Tinku Devraj ke hath me ti n dekhta hai.
Tinku - Isme kya hai chachaji?
Devraj - Teri chachi ne Kusum Bua ke liye laddu bheje hai.
Tinku - Ise peechhe rakh dijiye na.

Devraj peeche deat par ek bhara hua bag dekhta hai.

Devraj - Nahi main pakadlunga.


Tinku - …Chachiji nahi aayi?
Devraj - Haan, uski tabiyat thik nahi thi. Upar se itni thand.

Devraj ka phone baj uthta hai.

Devraj - Ye le teri chachi ka hi phone aagaya.


Devraj phone uthata hai.
Devraj - Badi lambi umar hai teri. Abhi mai teri hi baat kar raha tha Tinku se. Wo mujhe
station par lene aaya tha.
Call - Pahunch gaye the to phone nahi kar sakte the? Thand kais hai wahaan?
Devraj - Kohra hi Kohra hai yahaan to. Bahut thandi hai.
Call - Ha to sab pehen odhkar rehna, zyada hero mat banna wahaan.
Devraj - Main yahaan apni bimaar behen se milne aaya hu, sair par nahi aaya hu Rama.
Main ghar pahunchkar tumhe call karunga. Ha.
Call - Thik hai.

Car kharab road par chadh jati hai.


Puri Gadi hilne lagti hai khidki ke upar laga handle pakad leta hai.
Car ke peeche ek thaile me kuchh samaan rakha hota hai jo gir jata hai. Devraj ki nazar
samaan par padti hai. Tinku bhi samaan girne ki aawaz sunkar peechhe dekhta hai.
ffi
fi
ffi
Devraj - Isme kya hai, Tinku?
Tinku Devraj ki baat taal deta hai.
Tinku - Kuchh nahi. Main kisi dukaan par gaadi rokta hu.

EXT. DHABA - MORNING

Car gaddon me hichkole khate hue ek dhabe par rukti hai. Devraj aur Tinku car se utarte
hai. Tinku peeche ki gaadi ka bikhra hua samaan uthata hai aur jaldi jaldi wapas bag me
dalne lagta hai.
Devraj dekhta hai ki ek safed chadar ko wo bag me daal raha hai. Devraj ko ye baat
khatakti hai.

Cahiwala, cup me Chai Chhankar Tinku aur Devraj ko de deta hai.

Kuchh der ke sannate ke baad.

Devraj - Kusum Bua kaisi hai?

Tinku - Bua thik hai ye to main keh nahi sakta chachaji. Fufaji ne har mumkin koshish kari.
Hospital me paisa foonk diya. Cancer ki ladai insaan is umar me haar hi jata hai. Khat par
padi bas apne samay ka intezar kar rahi hai.

Devraj - Arey, Kusum bahut bahaddur hai use kuchh nahi hoga. Tere Fufaji ko use is
bimari se ladne ka honsla dena chahiye. Jeene ki chah insaan ko maut ke muh se bahar
le aati hai.

Tinku - Fir bhi admi kabhi na kabhi to mar hi jata hai. Ye cancer ki last stage hai. Jab
Doctors tak ne hath khade kar diye to kaunsa chamatkar unhe bachayega. Jis waqt bua
ko Dicharge kiya ja raha tha tab mai wahin tha.

INT. HOSPITAL - DAY

MONTAGES of Cancer patient Kusum.

Hospital ke corridor me bench par baithe Fateh Singh (60) ke pass Tinku jata hai aur unki
signature leta hai. Ek wheelchair par bimaar Kusum(58) ko Tinku bahar lata hai aur bahar
ki taraf le jata hai. Ek doctor bahar aata hai. Fateh Singh khada ho jata hai.

Doctor - Ab unhe ilaaj ki nahi parivaar ki zaroorat hai. Apne rishtedaron ko phone karke
bula lijiye.

Fateh Singh Doctors ke samne hath jodta hai. Aur Hospital se nikal jata hai.

EXT. HOSPITAL - MORNING


Car ki peeche ki seat par Kusum kambal odhe bimaar baithi hai. Fateh Singh bahar khada
car ki khidki se apni patni Kusum ko dekhta hai. Kusum ek tirchhi nazar se use dekhti hai.
Fateh Singh ki aankh bhar aati hai.

Tabhi Tinku driver seat par baitha bol padta hai.

Tinku - Fufaji, Aaiye chalte hai.

Fateh Singh ki ankhon me ansu dekh tinku bhi shant ho jata hai. Fateh Singh gaadi me
Tinku ke pass baith jata hai. Car hospital se nikal padti hai. Fateh Singh ki nazar front
mirror se Kusum par padti hai jo pareshan ho rahi hai.

Fateh Singh - Kusum? Thik to haina?

Kusum - Ghar bahut dur hai. Samay Lagega. Main so jati hu.

Kusum gaadi me hi let jati hai. Fateh Singh peeche dekhta hai arey ruk araam se.

Fateh Singh samne baithe baithe Kusum ka odha hua Kambal thik kar deta hai. Fateh
Singh wapas seedhe baith jata hai.

Tinku (V.O) - Main shayad janta tha ki Fufaji ke dimaag me aise waqt me kya chal raha
hoga. Jiske sath puri zindagi ka safar tay kiya wo bas ab bas chand lamho ka mehmaan
hai. Na ummed thi, na dua, dawa ne to pehle hi santh chhod diya tha.

Car ek mandir ke samne se guzarti hai. Fateh Singh hath jodta hai.

Tinku (V.O) - Aur bhagwan ka sanket hum jate hi hai. Muthhi bhar ke pal aur intezaar. Inme
se sabse bada intezar Fufaji ka hai.

Fateh Singh market ki ek dukaan ko dekhta hai.

Fateh Singh - Tinku, zara gadi side me lagana.

Tinku gaadi side me laga deta hai. Fateh Singh peeche Kusum ko dekhte hai ki wo thik to
hai. Kusum so rahi hai.

Tinku - Kya lana hai mujhe bataiye mai le aata hu.

Fateh Singh - …umm.. nahi nahi tu yahaan rukkar teri bua ka dhyaan rakh. Main aata hu.

Fateh Singh car se utarkar chala jata hai. Side mirror se Tinku Fateh Singh ko jate hue
dekhta hai.

Kusum - Tinku?
Tinku - Haan Bua. Kuchh chaiye.
Kusum - Tere Fufaji kahaan gaye?
Tinku - Wo kuchh samaan lene gaye hai aate hi honge. Aap so jao aaram se.
Kusum - Doctors ne mujhe sone ke liye hi to bheja haina, Hmesha ke liye.

Tinku Bua ko dekhta hai.


Tinku - Aap itna sab mat socho Bua. So jao aap araam se. Ye Kambal mai odha deta hu.
Tinku car me Fateh Singh ke Lautne ka intezaar karta hai.

Tinku (V.O) - Fufaji ko gaye kaa waqt ho gaya tha. Maine dekha ki Bua so chuki hai. Bua
ko car me sota chhodkar mai unhe dhundhne nikal gaya. Aap yakeen nahi manenge Fufaji
kahaa khade the.

Visual of Dukaan

Tinku (V.O) - Dukaan se Antim Sanskaar ka samaan le rahe the.

Fateh Singh - Tinku, ye sab samaan gaadi me daal le.


Tinku (whispers) - Ye sab kya hai Fufaji?
Fateh Singh - Ye antim sanskaar ka samaan hai.
Tinku - Kiske liye?
Fateh Singh - Teri Bua ke liye. Use doctors ne jawab de diya haina. Kaha hai koi taaqat
use nahi bacha sakti.

Dukaanwala wahi khada dono ki baaten sun raha hai. Tinku sharm se Dukaandaar ko
dekhta hai.

Tinku - Humko ye nahi chahiye. Ye aap wapas rakhlo.


Fateh Singh - Arey paisa de diya hai.
Tinku - Ha to ye wapas bhi kar lenge. .. Suniye ye samaan hume nahi chahiye. Fateh
Singh - Bas tinku chup ho ja.
Tinku - Ye apshakun hai. Zinda insaan ke liye arthi ka sajaa rahe ho fufaji.
Fateh Singh - Wo insan teri bua hone se pehle meri biwi hai. Adhi raat me use kuchh ho
gaya to gaanv se sheher tak mai akela aunga ye samaan lene? Janta hai 40km ki duri tay
karne me kitna samay lgta hai? Tujhe raston ka nahi pata kitna kharab hai? Upar se itni
thand. Koi hai humara aagey peechhe? Hat..

Fateh Singh khud samaan uthakar dukan se bahar ata hai. Tinku dukaan se sharmsaar
bahar aata hai aur fateh singh ke peechhe ho leta hai.

Tinku (V.O) - Fufaji ne halaat ko apna liya tha. Wo samajh gaye the ki intezaar zyada lamba
nahi hoga.

Gaadi ki dikki Kholkar Tinku arthi ka samaan daalna shuru karta hai.

Tinku (V.O) - Jaise unke man me Bua ki arthi saj chuki thi jo unki saanson ke jaate hi jal
uthegi.

Car ki dikki band hoti hai.

CUT TO

Back to present
fi
Devraj aur Tinku car me baith jaate hai aur darwaze band kar dete hai. Car ki pichhli seat
par wo bag rakha hai jisme arthi ka saman kuchh der pehle tinku car me sambhal raha
tha.

Tinku - Aap hi bataiye ek zinda admi ki arthi ghar me uski maut ka intezar karega. Kitna
bada apshakuun hai ye. Isliye samaan utaarte waqt ye bag maine, apne sath hi rakh liya.

Devraj (Lambi Saans lete hue) - Matlab apni zinda behen ka kafan mai sath lekar chal raha
hu. Is par to insaan ka koi bas bhi nahi.

Devraj apne hath me rakhe ti n ko dekhta hai.

Devraj - Chalte hai, isse pehle der ho jaye.

Tinku car me chabi lagata hai aur chalu karta hai. Car dhabe se nikal jati hai.

Tinku aur Devraj Neher ke pass se ja rahe hai. Tinku sadak par dur nazar tikaye soch me
doob jata hai.

Tinku (V.O) - Emotions, Emotions me kuchh sahi galat nahi hota. Sabhi ne maan liya hai ki
maut jab apna tandav dikhayegi to hum sab chup chap dekhenge. Filhal sirf intezar. In
sabke Intezar me mera bhi ek intezar iske sath jud gaya hai. Bojh is kafan ka jo main dho
raha hu, intezar hai iske utarne ka.

Car kharaab raste se hoti hui ja rahi hai. Gaddhon me kudte hue, Kichad me lathpath hoti
hui wo ek gaanv me pahunchti hai.

Gaanv ki gali me Tinku kuchh logo ko jhund me jaate dekhta hai. Is jhund ke agey kuchh
log aur Fateh Singh ke ghar ki taraf ja rahe hai. Devraj bhi logo ko jate dekhta hai. Tinku
aur Devraj ki nazar milti hai.

Tinku ek ghar ke samne gadi rokta hai. Devraj aur Tinku dono car se nikalte hai. Devraj ke
hath me ti n hai. Wo utarakar ghar ke andan me pahunchte hai.
Angaan ke alag alag bindu par kuchh log khade hai. Devraj aur Tinku agey badhte hai.

Devraj dekhta hai ki Wheel chair par uski behen Kusum baithi hai. Devraj turant apni
behen ke pass aata hai. Aur Kusum ke per chhuta hai.

Tinku Kusum ko is tarah dekhkar hairaan ho jata hai. Aur aas pass logo ko dekhne lagta
hai. Ghar ke andar se ek lash angan me layi jati hai

Devraj - Kaisi hai Kusum? Bol? Ye dekh main tere liye laddu laya hu.
Kusum sadme me baithi hai. Devraj Kusum ki kalai dekhta hai jinme chudiyaan tuti padi
hai.

Devraj angan me jata hai. Wo dekhta hai ki Fateh Singh ki lash padi hui. Devraj hakka
bakka reh jata hai.
Devraj ke peechhe se padosi log antim sanskar ki taiyari karte hai.

Padosi - Arey ruko, ek chatai par letao inhe. Kya kar rahe ho? Arey koi safed chadar lake
odhao inhe.
ffi
ffi
Tinku itna sunte hi khud ko sambhalte hue apni gaadi ke pass jata hai aur wo thaila bahar
nikalta hai. Tinku aate jate logo ki baaten sunta hai.
Admi 1 - Subah hi daura aaya hai.
Admi 2 - Arey nahi bhai, neend me chal base the.

Devraj Tinku ko thaila laate dekhta hai. Tinku Devraj ke pass ata hai aur thaila khol deta
hai Thaili me sabse upar kafan rakha hua hai. Devraj thaile se kafan nikalta hai.
CUT TO
Chadar se fateh singh ki lash ko dhaka jata hai. Devraj apni behen ke kadmon me jaake
baith jaata hai.

Tinku bhi ab taiyari ke liye unki madad karta hai. Usi thaile me samaan nikal nikalkar wo
logo ko de raha hai taki wo taiyari kare.

Tinku - Mrityu sach hai, par zindagi ki tarah paheli hi hai. Bojh halka hua, intezar khatam
hua.

Wo thaila khali ho gaya. Padosi me se ek admi ne us khali thaile ko uthakar rakh diya.

THE END

You might also like