0% found this document useful (0 votes)
34 views9 pages

Quran Selected

quran
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
34 views9 pages

Quran Selected

quran
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 9

Part 3

16:127
 Sabar karo, tumhara sabar Allah hi ki madad se hai.

 Un par ghamgin na ho.

 Aur unke chal (makar) par tang dil na ho.

27:70
 Un par ghamgin na ho.
 Aur jo kuch woh chaalein chalte hain us par tang dil na ho.

73:1-3

 Ai kapde mein lapetne wale!


 Raat ko uth kar namaz padho, thoda sa hissa.
 Ya us se kuch kam karo, ya kuch zyada.

 Aur Qur’an tartil (aahista aur saaf) se padho.

3:179
 Allah momineen ko us haal par chhodne wala nahin jis par tum ho.
 Jab tak paak ko napak se alag na kar de.

 Aur Allah tumhe gaib ki sab khabrein dene wala nahin.


 Magar apne Rasoolon mein se jise chahe chunta hai.

81:25
 Ye Qur’an kisi shaitaan-e-rajim ka kalaam nahin hai.

11:49

 Ye gaib ki khabrein hain jo hum tumhari taraf wahi karte hain.

 Tum na jaante thay aur na tumhari qaum is se pehle.

 To sabr karo, anjaam mutaqeen ke haq mein hai.

12:102
 Ye gaib ki khabrein hain jo hum tumhari taraf wahi karte hain.

 Tum unke paas na thay jab unhone apna maamla tay kiya.

 Aur jab woh chal kar rahe thay.

72:26-27
 Allah gaib ka aalim hai.

 Apne gaib par kisi ko muttali nahin karta.

 Magar jise Rasool pasand kare.

 Uske aage aur peechhe hifazat karne wale farishte bhej deta hai.

81:24
 Rasool ‫ ﷺ‬gaib ke bare mein bakheel (kanjoos) nahin hai.

11:120
 Hum tumhe sab Rasoolon ke waqeaat sunate hain.

 Taake tumhara dil mazboot ho.

 Is mein tumhare paas Haq aaya hai.


 Aur momineen ke liye naseehat aur yaad dehlani.

Part 4
25:32

 Kafir kehte hain: Qur’an ek hi baar kyun na utara gaya?

 Humne isey is liye hisson mein utara hai taa ke tumhara dil is se mazboot ho.

 Aur humne isey tartil ke saath utara.

26:193-194

 Is Qur’an ko Rooh-ul-Ameen (Jibreel) lekar aaya.

 Tumhare dil par, taa ke tum waazeh karne walon mein se ho.

2:143

 Is tarah humne tumhe wasat (behtareen) ummat banaya.


 Taake tum logon par gawah bano.

 Aur Rasool tum par gawah bane.

 Aur humne qibla badla sirf ye jaanchne ke liye ke kaun Rasool ki pairwi karta hai aur kaun ulat jata hai.

7:157

 Woh log jo Nabi Ummiyy ki pairwi karte hain.

 Jise woh Taurat aur Injeel mein likha hua paate hain.

 Jo unhein bhali baton ka hukm deta hai aur buraiyon se roakta hai.

 Paak cheezon ko halal karta hai, gandi cheezon ko haram karta hai.

 Unke bojh utarta hai aur unki janjirein kholta hai.

 To jo unpar imaan laaye, ta’zeem ki, madad ki, aur us noor ki pairwi ki jo unke saath utara — wahi log kaamyab
hain.

8:24

 Ai imaan walon! Allah aur Rasool ki dawat par labbaik kaho.

 Jab woh tumhe bulayen us cheez ki taraf jo tumhe zinda kar deti hai.

 Aur jaanno ke Allah insaan aur uske dil ke darmiyan aa jata hai.
 Aur tum usi ki taraf jama kiye jaoge.

47:33

 Ai imaan walon! Allah ki ita’at karo aur Rasool ki ita’at karo.


 Apne amal zaya na karo.

2:108

 Kya tum apne Rasool se wahi sawal karna chahte ho jo pehle Musa se kiya gaya tha?

 Aur jo koi imaan ke badle kufr ikhtiyar kare, woh seedhe raaste se bhatak gaya.

5:101
 Ai imaan walon! Aisi cheezon ke bare mein sawal na karo jo tumhare liye zahir ki jayein to tumhe nagawaar
lagengi.

 Agar tum un par wahi ke waqt sawal karoge to tumhe bata di jayengi.
 Allah ne unhein maaf kar diya, aur Allah gafoor, haleem hai.
59:7
 Jo maal Allah ne apne Rasool ko fey ke taur par diya, woh tum mein se aamir aur ghareeb ke darmiyan
ghoomta na rahe.

 Rasool jo tumhein de, woh le lo.


 Aur jise roke, us se ruk jao.

 Aur Allah se daro, beshak Allah sakht azaab dene wala hai.

2:104

 Ai imaan walon! Rasool se “raa‘ina” na kaho, balki “unzurna” kaho.

 Aur suno, kafiron ke liye dardnaak azaab hai.

Part 5
17:88

 Kaho: Agar ins aur jinn sab mil kar is Qur’an jaisa laana chahen, to nahi laa sakte.

 Chahe woh ek doosre ke madadgar ban jaen.

17:94-96
 Logon ko sirf is baat ne roka imaan laane se jab hidayat unke paas aayi — ke kehne lage:

o Kya Allah ne ek bashar ko Rasool bana diya?


 Kaho: Agar zameen par farishte chain se chal rahe hote, to hum un par farishte ko Rasool bana dete.

 Kaho: Allah kaafi hai gawah tumhare aur mere darmiyan.

25:5-9
 Kafir kehte hain: Ye to bas jhute afsane hain jo usne likhwaye hain.

 Doosre log usse likh kar padh kar sunate hain.

 Ye sab purane logon ki kahaniyan hain.

 Kehte hain: Ye to ek aadmi hai jo jadoo kiya gaya hai.

 Dekho unhone tumhare liye kaise misaalein banayi — magar woh bhatak gaye hain aur raah nahi paate.

25:20
 Humne tumse pehle bhi Rasool bheje jo khana khate the aur bazaaron mein chalte the.

 Aur humne tumhe ek doosre ke liye aazmaish banaya.


 Kya tum sabr karoge?

 Aur tumhara Rabb sab dekh raha hai.

26:210-213

 Is Qur’an ko shayateen lekar nahi utarte.

 Na unhein iski zarurat hai, na unhein taaqat hai.

 Woh door kar diye gaye hain.

 Pas tum Allah ke saath kisi aur ko na bulao, warna azaab mein gir jaoge.

36:1-3

 Yaseen.

 Qasam hai Qur’an-e-Hakeem ki.


 Tum (Muhammad ‫ )ﷺ‬yaqeenan Rasoolon mein se ho.

36:69
 Humne Nabi ‫ ﷺ‬ko shairi nahi sikhayi, na hi yeh unke laayak hai.

 Yeh to sirf ek naseehat aur saaf Qur’an hai.

37:37

 Balki woh haq laya hai.

 Aur pehle Rasoolon ki tasdeeq ki hai.

Part 6
51:52

 Har Nabi ke paas jab bhi log aaye, unhone kaha:

o “Ye jadoogar hai ya deewana.”

68:2

 Tum (Muhammad ‫ )ﷺ‬apne Rabb ke fazl se na majnun (deewane) ho.

68:10-14
 Unki baaton par na chalo jo qasmen khaate hain aur zaleel hote hain.
 Jo taanay maarne wale aur chughli karne wale hain.

 Jo nek kaamon se rokte hain, hadd se guzar jaate hain, gunaah mein doobe hain.

 Sakht mizaj aur badnasab hain.

93:3

 Tumhare Rabb ne tumhe na chhoda hai aur na hi tumse naraaz hua hai.

108:1-3

 Humne tumhe Kausar ata kiya.

 Pas apne Rabb ke liye namaz padho aur qurbani karo.

 Tumhara dushman hi be-nasl rahega.

111:1-5

 Abu Lahab ke haath toote, aur woh halak hua.

 Na uska maal uske kaam aaya, na uski kamai.


 Woh aag mein daakhil hoga jo bhadakti hai.

 Aur uski biwi bhi — jo lakriyaan uthaane wali hai.

 Uske gale mein moongon ki rassi hogi.

Part 7

3:7
 Allah ne Qur’an nazil kiya:

o Usmein kuch ayat muhkamaat (saaf aur seedhi) hain – wahi asal Qur’an hain.
o Baaki ayat mutashabihaat (majazi/misaali) hain.

 Jin ke dilon mein tedhapan hai, woh mutashabihaat ke peechhe padte hain – fitna aur apni marzi ka matlab
nikalne ke liye.

 Unka asal matlab sirf Allah hi jaanta hai.

 Jo ilm mein mazboot hain kehte hain:

o “Hum is par imaan laye, sab kuch hamare Rabb ki taraf se hai.”

 Sirf aqalmand log hi naseehat lete hain.

3:106

 Qayamat ke din kuch chehre roshan honge, aur kuch siyah.


 Jin ke chehre siyah honge unse kaha jayega:

o “Kya tum imaan laane ke baad kufr kiya?”

o “Ab azaab chakkho, apne kufr ke badle.”

3:118

 Eh imaano! Apne siwa (musalmanon ke siwa) kisi ko apna raazdaar na banao.

 Woh tumhe bigaadne mein kamee nahi chhodte.

 Woh tumhari pareshani mein hi khush hote hain.

 Unki dushmani unki zubaan se zahir hai, aur jo kuch dilon mein chhupaye hain woh aur bhi badtar hai.

 Humne tumhare liye nishaniyan bayan kar di hain agar tum aqalmand ho.

3:161

 Kisi Nabi ke liye yeh mumkin nahi ke woh ghulool (amaanat mein khayanat) kare.

 Jo shakhs khayanat karega, woh qayamat ke din wahi cheez le kar aayega jo usne khayanat ki thi.

 Phir har shakhs ko uske kiye ka pura badla diya jayega, aur unpar koi zulm na hoga.
Part 8

4:115

 Jo shakhs Rasool ke khilaf baghawat kare,

 Aur momineen ki raah ke bajaye doosri raah ikhtiyar kare,

 Toh hum usse usi taraf mod dete hain jisme woh laga hua hai,
 Aur usse Jahannum mein daakhil karte hain — aur woh bura thikana hai.

5:33

 Jo Allah aur uske Rasool se ladai karte hain,

 Aur zameen mein fasaad phailate hain,

 Unki saza yeh hai:

1. Qatal kiye jaayen,

2. Ya sooli chadhaaye jaayen,


3. Ya unke haath aur paon ulte kaat diye jaayen,

4. Ya mulk se nikal diye jaayen.

 Yeh unke liye duniya mein ruswayi hai,


 Aur aakhirat mein unke liye bada azaab hai.

8:13

 Yeh sab is liye hai ke unhone Allah aur uske Rasool ka inkaar kiya.

 Aur jo shakhs Allah aur uske Rasool ka inkaar kare,

 Toh Allah sakht azaab dene wala hai.

9:58-59

 Unmein kuch log aise hain jo zakat ke taqseem par tumhe malamat karte hain.

o Agar unhein kuch mil jaye to raazi hote hain,

o Aur agar na mile to naraaz hote hain.

 Agar woh Allah aur Rasool ne jo diya us par raazi ho jaate, aur kehte:

o “Allah humein kaafi hai,

o Allah aur uska Rasool humein apne fazl se aur bhi dega,

o Hum Allah ki taraf rujoo karte hain.”


 Toh yeh unke liye behtareen hota.

24:11-17

 Jo ifk (jhooti bohtaan baazi) lekar aaye, woh tum mein se hi ek giroh hai.

 Isay apne liye bura na samjho, balke yeh tumhare liye behtari hai.
 Har shakhs ke liye us gunah ka hissa hai jo usne kiya.

 Aur jisne iska bada bojh uthaya, uske liye bada azaab hai.
 Tum logon ne kyun na jab ise suna, momen mardon aur auraton ne apne dilon mein achcha guman rakha, aur
kaha:

o “Yeh to khula bohtaan hai.”

 Tum kyun na char gawah laaye?

 Jab gawah na laaye to Allah ke nazdeek woh jhoote hain.

 Agar Allah ka fazl aur uski rehmat tum par na hoti, toh tumhein badi saza milti.
 Jab tum is jhoot ko apni zubaano se ek doosre ko sunate the, aur jo tumhe ilm na tha usse apni zubaanon se
keh dete the, tumne ise halka samjha — jabke Allah ke nazdeek yeh badi baat thi.

 Kyun na jab tumne ise suna, tumne kaha:


o “Humein yeh kehna jaaiz nahi hai. Subhanallah! Yeh badi bohotaan baazi hai.”
33:57

 Jo log Allah aur uske Rasool ko satate hain,

 Allah un par duniya aur aakhirat mein laanat bhejta hai,

 Aur unke liye ruswa kar dene wala azaab hai.

Part 9

2:143

 Aur isi tarah humne tumhe ek behtareen ummat banaya,

 Taake tum logon par gawah bano,

 Aur Rasool tum par gawah bane.

 Humne woh qibla jo pehle tha bas is liye banaya tha,


taake maloom ho kaun Rasool ka paalan karta hai aur kaun ulta ghoom jaata hai.
 Ye zaroor bhaari baat thi, siwa un logon ke jinko Allah ne hidayat di.

 Aur Allah tumhare imaan ko zaya nahi karega.

 Beshak Allah logon par nihayat shafeeq aur meherbaan hai.

4:42
 Us din kafir aur Allah ke Rasool ki nafarmani karne wale log chaahenge
ke kaash zameen mein daba diye jaayen,

 Aur woh Allah se koi baat chhupa na saken.

4:64

 Humne koi Rasool nahi bheja magar is liye ke uski ita’at ki jaye Allah ke izn se.

 Aur jab unhone apne upar zulm kiya tha, agar woh tumhare paas aate,

 Aur Allah se maghfirat maangte,

 Aur Rasool bhi unke liye maghfirat maangta,

 Toh woh Allah ko Tauba qubool karne wala, Meherbaan paate.

You might also like