Al-Anbiyaa
Allah ke naam se jo Rehman o
Raheem hai
1. Qareeb aa gaya hai
logon ke hisaab ka waqt, aur
woh hain ke gaflat mein mooh
moadey huey hain.
2. Unke paas jo taaza
naseehat bhi unke Rubb ki
taraf se aati hai usko be-
takalluf sunte hain aur khel
mein padey rehte hain.
3. Dil unke (dusri hi fikron
mein) munhamik hain aur
zalim aapas mein
sargoshiyan(whisper) karte
hain ke “yeh shaks aakhir tum
jaisa ek bashar (Insaan) hi to
hai, phir kya tum aankhon
dekhte jaadu ke phanday mein
phas jaogey?”
4. Rasool ne kaha, mera
Rubb har us baat ko jaanta hai
jo aasman aur zameen mein ki
jaye, woh sami(sunne wala) aur
aleem (jaanne wala) hai.
5. Woh kehte hain “balke
yeh paraganda (incoherent)
khwab hai , balke yeh iski
mann-ghadath hai, balke yeh
shaks shayar hai warna yeh
laye koi nishani jis tarah purane
zamane ke Rasool nishaniyon
ke saath bheje gaye thay”.
6. Halaanke inse pehle
koi basti bhi, jisey humne
halaak kiya, iman na layi, ab
kya yeh iman layenge?
7. Aur (aey Muhammad),
tumse pehle bhi humne
Insaano hi ko Rasool bana kar
bheja tha jinpar hum wahee
(revelation) kiya karte thay,
Tum log agar ilm nahin rakhte
to ehle kitaab se pooch lo.
8. Un Rasoolon ko
humne koi aisa jism nahin diya
tha ke woh khate na hon, aur
na woh sadaa (hamesha)
jeenay waley thay.
9. Phir dekhlo ke aakhir e
kaar humne unke saath apne
wadey poorey kiye, aur unhein
aur jis jis ko humne chaha
bacha liya, aur hadd se guzar
janey walon ko halaak kardiya.
10. Logon, humne tumhari
taraf ek aisi kitaab bheji hai
jismein tumhara hi zikr hai, kya
tum samajhte nahin ho?
11. Kitni hi zalim bastiyan
hain jinko humne pees kar
rakh diya aur unke baad dusri
kisi qaum ko uthaya.
12. Jab unko hamara azaab
mehsoos hua to lagey wahan
se bhaagne.
13. (kaha gaya) “bhaago
nahin, jao apne unhi gharon
mein aur aesh ke samaano
mein jinke andar tum chain kar
rahey thay, shayad ke tumse
poocha jaye”.
14. Kehne lagey “haye
hamari kambakhti, beshak
hum khatawaar thay”
15. Aur woh yahi pukarte
rahey yahan tak ke humne
unko khalyan (threshed/field
that is reaped) kardiya , zindagi
ka ek sharara tak unmein na
raha (leaving no spark of life in
them).
16. Humne is aasman aur
zameen ko aur jo kuch bhi
inmein hai kuch khel ke taur
par nahin banaya hai.
17. Agar hum koi khilona
banan chahte aur bas yahi
kuch humein karna hota to
apne hi paas se kar letey.
18. Magar hum to baatil
par haqq ki chot lagate hain jo
uska sar todh deti hai aur woh
dekhte dekhte mitt jata hai,
aur tumhare liye tabahi hai un
baaton ki wajah se jo tum
banate ho.
19. Zameen aur aasmano
mein jo makhlooq bhi hai Allah
ki hai aur jo (Farishtey) uske
paas hain woh na apne aap ko
bada samajh kar uski bandagi
se sartabi karte hain aur na
malool (weary /tire) hotey hain.
20. Shab-o-roz uski
tasbeeh karte rehte hain, dum
nahin letey.
21. Kya in logon ke banaye
huey arzi khuda aisey hain ke
CHAPTER - 21
QURAN
(be-jaan ko jaan baksh kar)
utha khada karte hon?
22. Agar aasman o
zameen mein ek Allah ke siwa
dusre khuda bhi hotey to
(zameen aur aasman) dono ka
nizam bigad jata. Pas paak hai
Allah Rabbul arsh un baaton se
jo yeh log bana rahey hain.
23. Woh apne kaamon ke
liye (kisi ke aagey) jawab-de
nahin hai aur sab jawab-de
hain.
24. Kya usey chodh kar
inhon ne dusre khuda bana
liye hain? (Aey Muhammad)
inse kaho ke “lao apni
daleel,yeh kitaab bhi maujood
hai jismein mere daur ke logon
ke liye naseehat hai aur woh
kitaabein bhi maujood hain jin
mein mujhse pehle logon ke
liye naseehat thi” magar un
mein se aksar log haqeeqat se
bekhabar hain, is liye mooh
moadey huey hain.
25. Humne tumse pehle jo
Rasool bhi bheja hai usko yahi
wahee ki hai ke mere siwa koi
khuda nahin hai, pas tumlog
meri hi bandagi karo.
26. Yeh kehte hain
“rehman aulad rakhta hai”
SubhanAllah , woh to banday
hain jinhein izzat di gayi hai.
27. Uske huzoor badh kar
nahin bolte aur bas uske
hukum par amal karte hain.
28. Jo kuch unke saamne
hai usey bhi woh jaanta hai aur
jo kuch unse ojhal hai ussey
bhi woh bakhabar hai, woh kisi
ki sifarish nahin karte bajuz
uske jiske haqq mein sifarish
sunne par Allah raazi ho, aur
woh uske khauf se darey rehte
hain.
29. Aur jo unmein se koi
kehde ke Allah ke siwa main
bhi ek khuda hoon, to usey
hum jahannum ki saza dein,
hamare haan zaalimon ka yahi
badla hai.
30. Kya yeh log jinhon ne
(Nabi ki baat maanney se)
inkar kardiya hai gaur nahin
karte ke yeh sab aasman aur
zameen baham miley huey
thay, phir humne inhein juda
kiya, aur pani se har zinda
cheez paida ki, kya woh
(hamari is khallaqi ko) nahin
maante?
31. Aur humne zameen
mein pahad jamaa diye taa-ke
woh unhein lekar dhulak na
jaye, aur ismein kushada
raahein bana di, shayad ke log
apna raasta maloom karlein.
32. Aur humne aasman ko
ek mehfooz chatt bana diya,
magar ye hain ke iski
nishaniyon ki taraf tawajju hi
nahin karte.
33. Aur woh Allah hi hai
jisne raat aur din banaye aur
Suraj aur Chand ko paida kiya,
sab ek ek falak mein tair rahey
hain.
34. Aur (aey Muhammad),
hameshgi(eternity) to humne
tumse pehle bhi kisi Insaan ke
liye nahin rakkhi hai agar tum
mar gaye to kya yeh log
hamesha jeetay rahenge?
35. Har jaandaar ko maut
ka maza chakhna hai, aur hum
acchey aur burey halaat mein
daal kar tum sabki aazmaish
kar rahey hain, aakhir-e-kaar
tumhein hamari hi taraf
palatna hai.
36. Yeh munkireen e haqq
jab tumhein dekhte hain to
tumhara mazaaq bana letey
hain. Kehte hain “kya yeh hai
woh shaks jo tumhare
khudaon ka zikr kiya karta
hai?” aur inka apna haal yeh
hai ke rehman ke zikr se
munkir hain.
37. Insaan jald baaz
makhlooq hai, abhi main
tumko apni nishaniyan dikhaye
deta hoon, jaldi na machao.
38. Yeh log kehte hain
“aakhir yeh dhamki poori kab
hogi agar tum sacchey ho”.
39. Kaash in kaafiron ko us
waqt ka kuch ilam hota jabke
yeh na apne mooh aag se
bacha sakenge na apni
peethein, aur na inko kahin se
madad pahunchegi.
40. Woh balaa
(catastrophe) achanak aayegi
aur inhein is tarah yaklakht
(suddenly) daboch legi ke yeh
na usko dafaa kar sakenge aur
na inko lamha bhar mohlat hi
mil sakegi.
41. Mazaaq tumse pehle
bhi Rasoolon ka udaya jaa
chuka hai, magar unka
mazaaq udane waley usi cheez
ke pher mein aa kar rahey jiska
woh mazaaq udatey thay.
42. (Aey Muhammad),
insey kaho, “kaun hai jo raat ko
ya din ko tumhein rehman se
bacha sakta ho?” magar yeh
apne Rubb ki naseehat se
mooh moad rahey hain.
43. Kya yeh kuch aise
khuda rakhte hain jo hamare
muqable mein inki himayat
karein? Woh na to khud apni
madad kar sakte hain aur na
hamari hi taaeed unko haasil
hai.
44. Asal baat yeh hai ke in
logon ko aur inke aabaa o
ajdaad (fore-fathers) ko hum
zindagi ka sar o saamaan diye
chale gaye yahan tak ke inko
din lag gaye (until the period
grew too long for them). Magar
kya inhein nazar nahin aata ke
hum zameen ko mukhtalif
simton se ghataye chale aa
rahey hain (shrinking its
boundaries)? Phir kya yeh
gaalib aa jayenge?
45. Inse kehdo ke “main to
wahee (revelation) ki bina par
tumhein mutanabbeh (warn)
kar raha hoon”. Magar behre
pukaar ko nahin suna karte
jabke unhein khabardaar kiya
jaye.
46. Aur agar tere Rubb ka
azaab zara sa inhein choo jaye
to abhi cheekh utthein ke
haaye hamari kambakhti,
beshak hum khatawaar thay.
47. Qayamat ke roz hum
theek theek toalne waley
tarazu rakh dengey, phir kisi
shaks par zarra barabar zulm
na hoga. Jiska rai (mustard
seed) ke daane ke barabar bhi
kuch kiya dhara hoga woh
hum saamne le aayenge aur
hisaab lagane ke liye hum kafi
hain.
48. Pehle hum Moosa aur
Haroon ko furqan(criteria) aur
roshni aur “zikr” ata kar chuke
hain un muttaqi logon ki
bhalayi ke liye,
49. Jo bay-dekhe (bagair
dekhe) apne Rubb se darein
aur jinko (hisaab ki) us ghadi ka
khatka laga hua hai.
50. Aur ab yeh ba-barakat
“zikr” humne (tumhare liye)
nazil kiya hai phir kya tum isko
qabool karne se inkaari ho?
51. Ussey bhi pehle humne
Ibrahim ko uski hosh-mandi
bakshi thi aur hum usko khoob
jantey thay.
52. Yaad karo woh mauqa
ke usne apne baap aur apni
qaum se kaha tha ke “yeh
muratein (images) kaisi hain
jinke tumlog girwida (devoted)
ho rahey ho?”
53. Unhon ne jawab diya
“humne apne baap dada ko
inki ibadat karte paya hai”.
54. Usne kaha “tum bhi
gumraah ho aur tumhare baap
dada bhi sareeh gumaraahi
mein paday huey thay?”
55. Unhon ne kaha “kya tu
hamare samne apne asli
khayalaat pesh kar raha hai ya
mazaaq karta hai?”
56. Usne jawab diya
“nahin, balke fil waqey
tumhara Rubb wahi hai jo
zameen aur aasmano ka Rubb
aur unka paida karne wala hai,
ispar main tumhare samne
gawahi deta hoon.
57. Aur khuda ki kasam
main tumhari gair maujoodgi
mein zaroor tumhare buthon
(idols/murtiyon) ki khabar
lunga”.
58. Chunanchey usne
unko tukde tukde kardiya aur
sirf unke baday ko chodh diya
taa-ke shayad woh iski taraf
rujoo karein.
59. (Unhon ne aakar
buthon[idols] ka yeh haal
dekha to) kehne lagey “hamare
khudaon ka yeh haal kisne
kardiya? Bada hi koi zalim tha
woh”
60. (baaz log) boley “
humne ek nawjawan ko inka
zikr karte suna tha jiska naam
Ibrahim hai”.
61. Unhon ne kaha “ to
pakad lao usey sabke samne
taa-ke log dekh lein (uski kaisi
khabar li jati hai)”
62. (Ibrahim ke aane par)
unhon ne pucha “kyun
Ibrahim, tu nay hamare
khudaon ke saath yeh harakat
ki hai?
63. Usne jawab diya “balke
yeh sab kuch inke is sardar ne
kiya hai, inhi se pooch lo agar
yeh bolte hon”.
64. Yeh sunkar woh log
apne zameer ki taraf palte aur
(apne dilon mein) kehne lagey
“waqayi tum khud hi zalim ho”.
65. Magar phir unki math
palat gayi(minds became
perverse) aur boley “ tu jaanta
hai ke yeh bolte nahin hain”.
66. Ibrahim ne kaha “phir
kya tum Allah ko chodh kar un
cheezon ko poojh rahey ho jo
na tumhein nafaa pahunchane
par qadir hain na nuqsan.
67. Tuff (Fie) hai tumpar
aur tumhare in maboodon par
jinki tum Allah ko chodh kar
pooja kar rahey ho, kya tum
kuch bhi aqal nahin rakhte?”
68. Unhon ne kaha “jala
daalo isko aur himayat karo
apne khudaon ki agar tumhein
kuch karna hai”.
69. Humne kaha “Aey aag,
thandi ho jaa aur salamati ban
jaa Ibrahim par”.
70. Woh chahte thay ke
Ibrahim ke saath burayi karein
magar humne unko buri tarah
nakaam kardiya.
71. Aur hum usey aur Lut
ko bacha kar us sar-zameen ki
taraf nikal le gaye jismein
humne duniya walon ke liye
barkatein rakkhi hain.
72. Aur humne usey Ishaq
ata kiya aur Yakoob uspar
mazeed, aur har ek ko saleh
(righteous) banaya.
73. Aur humne unko
imam bana diya jo hamare
hukum se rehnumayi karte
thay aur humne unhein wahee
(revelation) ke zariye neik
kaamon ki aur namaz qayam
karne ki aur zakat dene ki
hidayat ki, aur woh hamare
ibadat guzaar thay.
74. Aur Lut ko humne