NCB Episode 1
NCB Episode 1
Created by
Atul Sabharwal
Produced by
Episode 1
Atul Sabharwal
YRF Logo
FADE OUT:
RAJESH
Yes baaki paise...
WASIM
Chatni zyada dalvayi...
RAJESH
Haan dalvayi...
WASIM
(smiles)
Zubeida bhabhi ko chatni khane ka
bahut shauk hai...
RAJESH
Aur Naved bhai ko banane ka...hum
dono ki bann jayegi agar unhe is
delivery ka pata laga...
The car drives past the empty lanes of Colaba and heads
north.
WASIM (V.O.)
Bhai ko pata lagega tab na...
2.
RAJESH (V.O.)
Aur pata lag gaya toh?
WASIM
Jab tak pata lagega tab tak delivery
ho chuki hogi. Bhai bundle dekhenge
to aadha gussa wahin kam ho jayega.
RAJESH
Aur nahin hua toh?
WASIM
(smiles again)
Nahin hua toh tujhe bachana mera
kaam.
RAJESH
(chuckles innocently)
Mujhe toh waise bhi hamesha tu hi
bachata hai.
WASIM
Dekh koi paandu log hai kya?
RAJESH
Lagta toh nahin bhai.
WASIM
Room number 201. Lene wala gora
hai. Reception par John ke naam
se pooch lena.
RAJESH
Payment kitna lena hai?
WASIM
Woh advance mein aa gaya hai.
Gora peele t-shirt mein hoga.
Umar 35. Bag seat ke neeche hai.
Rajesh opens the zip and takes one last look at the
contents. HEROIN. Smells it.
3.
WASIM (CONT'D)
(smiles)
A-1 hai.
SILHOUETTE 1
Aaj nikla hai pyada - ye pit gaya
toh badshah hil jayega.
THIS CAR starts from here. A FEW MEN emerge from the
motel, running behind Rajesh.
FADE OUT:
FADE IN:
ZD KRISHNAN
Ah. Yes. There are certain issues
I need to clear. In fact aaj
Headquarters se phone aaya tha
abhi.
(turn his diary
around)
Tumhare attitude se yahan sabko
problem hai.
BRINDA
Aur kaam se kisi ko khushi nahin
hai.
KRISHNAN
Kaam yahan sab karte hain.
BRINDA
Lekin mere kaam mein Mukherjee
sahab taang ada rahe the. Inhone
Medichem Ltd. ko unwarranted advise
di mere summons ke against.
MUKHERJEE
Dekhi sir aapne inki language.
KRISHNAN
Tum yahan aath mahinon se ho -
Mukherjee yahan chaar saloon se
hai.
BRINDA
Yehi toh Mukherjee sahab ko bura
lagta hai - mujhe aath mahino mein
hi Acetic Anyhydrite charge mil
gaya. Jo charge mere aane se pehle
Mukherjee sahab ke paas tha.
KRISHNAN
Medichem Ltd. walon ne harrassment
ka complaint kiya. Direct to Delhi.
Tumhe apni safai mein kuch kehna
hai?
BRINDA
(flatly)
Mujhe field intelligence mila tha
ki Medichem Ltd. is diverting
Acetic Anhydrite chemical to drug
traffickers of Madhya Pradesh.
(looks at Mukherjee)
Maine unka stock check kiya. Jo
tally nahin hua. Isiliye maine
summon issue kiya tha - unhe yahan
aake explain karne ke liye. Lekin
jab unka manager yahan aaya tab
Mukherjee sahab ne unke saamne
mujhe kaha ki mujhe summon issue
nahin karna chahiye tha.
MUKHERJEE
Brindaji jhoot bol rahi hain sir.
BRINDA
Sach boloon.
Talking to each other are two men, but there eyes are
trained at something across the windscreen. WE HEAR sea
waves and gulls faintly.
KARTIK
Kya lagta hai? bach payegi?
MAHENDRA
Aise kaam karegi toh kaise bachegi.
KARTIK
Tujhe ab bhi uspe shak hai?
MAHENDRA
(shakes his head)
Information pakki hai - uski
kartooton ki.
KARTIK
Kabhi-kabhi main samajh nahin
paata - tu itni khaar kyun khata
hai us-se.
MAHENDRA
Kiski baat kar raha hai?
KARTIK
Brinda ki - aaj ki inquiry ki -
kyun?
MAHENDRA
Mujhe laga uski baat kar raha hai -
jiske inetzaar mein hum yahan
baithe hain.
KARTIK
Uski kya baat karni. Woh aayegi.
Hum pakad lenge.
MAHENDRA (O.S.)
Brinda ki bhi kya baat karni.
Kal jaati hai - aaj jaye - meri
bala se.
The car door opens. Mahendra gets down and closes the
door. Kartik turns the car and drives away.
One of the workers gets off the ferry and looks around.
Mahendra gives a signal to Kartik as the men start
unloading the stuff.
The man takes out a matchbox from his pocket and holds it
out for Mahendra.
KARTIK
(calling out)
Mahendra!
The two workers run towards the gate that leads to the
exit from the Ferry Wharf towards main road. They
desperately look behind. They don't see Mahendra on their
trail.
Mahendra opens the car door. Kartik has left the key
into ignition. Mahendra starts the car instantly and
whoosh he goes to the exit.
The two men come running out. Mahendra brakes the car
right in front of them and opens the door immediately.
The car door hits one of the running men in his face.
The man falls. The other runs. Mahendra gets out of the
car and jumps over the bonnet.
KRISHNAN (O.S.)
Tumne Usmaan sahab ko inform kiya
tha summons ke baare mein?
BRINDA (O.S.)
Karne waali thi sir. Uss Manager
ka statement record karne ke baad.
KRISHNAN
Matlab summones issue larne se
pehle inform nahin kiya tha.
BRINDA
Agar main zyada wait karti toh
Acetic Anydrite ka stock unki
factory se nikal jaata.
9.
KRISHNAN
Usmaan sahab - aap kuch kahen?
What's your opinion?
USMAAN
Aapne jab Brinda ko AA charge
diya tha - tab aapne kaha tha ki
iski saari dealing aapke aur Brinda
ke beech direct rahegi.
KRISHNAN
Kaha tha - par mera yeh matlab
nahin tha ki department mein koi
aur apni opinion nahi de sakta.
Agar Mukerjee ne Brinda ko Medichem
ke summons ke baare mein guide
karne ki koshish ki toh kya galat
kiya.
BRINDA
(to Krishnan)
Mukherjee sahab toh mujhe apne
bedroom ki taraf guide kar rahe
the.
KRISHNAN
What?
MUKHERJEE
Jhoot...
USMAAN
Sach hai sir - unfortunately.
KRISHNAN
Aapko pata tha iss baare mein?
Usmaan nods.
KRISHNAN (CONT'D)
(to Mukherjee)
Toh isiliye tumne Brinda ke against
iss matter mein complain ki thi.
(to Brinda)
Tumne mujhe complaint kyun nahin
kiya?
USMAAN
Maine mana kiya tha sir. Khamkhan
department ka naam kharab hota.
KRISHNAN
Ab karna chahti ho?
KRISHNAN (CONT'D)
(to Usmaan)
Aur bina official complaint ke
main kya action loon?
Usmaan is quiet.
So is Brinda.
KRISHNAN (CONT'D)
Theek hai then - mere paas jis
matter ka complaint hai main us-
se deal karta hoon.
(to Brinda)
Main AA Charge tumse le raha hoon.
You showed no regard for the
paperwork. Summons issue karne
se pehle inform na karke tumne
laparvahi ki.
KRISHNAN (CONT'D)
Till further inquiry you can
continue with your regular IO
duties.
Brinda nods.
BRINDA
Yes sir.
On the inside it's a huge hall with high ceiling and bare
minimum furniture - six seven cheap working desks and
chairs, around same number of steel cupboards and no piles
of files around. In the middle of a hall, a room has
been made by wooden partitions - the Superintendent's
cabin. And in a far end of the hall there is another
room - Y Cell.
After they enter, the sentry locks the gate while Mahendra
and Kartik walk into the main hall along with the arrested
culprits.
MAHENDRA
(calling out)
Miss Malabar Hill.
MAHENDRA (CONT'D)
(hiding his grin)
Meet Miss Lily urf Tina urf...
KARTIK
Julie...
MAHENDRA
Jul...
MAHENDRA (CONT'D)
(suddenly sobered;
to Brinda)
30 kilo Charlie kahin chupaya hua
hai inhone. 3-4 packet mile hain.
Baaki kahan hai poochna hai.
MAHENDRA (CONT'D)
(to woman)
You - she. Ladies only talk.
Ok!
BRINDA
What is your real name?
AFRICAN WOMAN
Lily.
BRINDA
Why do they call you Lily?
AFRICAN WOMAN
My mother's house in Nigeria had
a Lily bush. I got that name as
a kid.
12.
MAHENDRA
Iski autobiography nahin - ye
pooch maal kahan hai.
BRINDA
(not distracted)
What is your real name?
AFRICAN WOMAN
Lily Rosa...
BRINDA
Are you employed Lily?
MAHENDRA
Kitaab likhni hai kya iski life
pe?
AFRICAN WOMAN
(sobbing)
No. I used to work as a waitress.
BRINDA
What kind of food you used to
cook?
Mahendra kicks the stool. The boy falls on the floor and
starts to cry.
BRINDA (CONT'D)
(it Mahendra)
Will you stop it?
MAHENDRA
Arre you stop. Maal kahin ka
kahin chala jayega itni der mein.
USMAAN
Kya hua? Mili?
KARTIK
Haan sir. 30 kilo ki khabar
confirm hai. Abhi toh yeh mila
hai.
13.
KARTIK (CONT'D)
Baaki batayegi.
USMAAN
Mahedra question kar raha hai?
Kartik nods.
USMAAN (CONT'D)
Good. Brinda ko dekha?
KARTIK
(bit surprised at
the question)
Andar hai. Mahendra ke saath.
Uss aurat ko wohi interrogate kar
rahi hai.
USMAAN
Oh!
KARTIK
Kya hua sir?
USMAAN
Bad timing. ZD just took the AA
Charge from her.
BRINDA
We want to know where the drugs
are?
AFRICAN WOMAN
(sobbing)
What makes you think that I know
anything
BRINDA
Some people told us.
AFRICAN WOMAN
(sobbing)
Like who?
MAHENDRA
Interrogation iska ho raha hai ki
hamara?
BRINDA
(to woman)
We can't tell you that.
14.
AFRICAN WOMAN
Let my brother go first.
BRINDA
We can't. We have evidence against
both of you. If you have any
knowledge now is the time to give
it to us.
AFRICAN WOMAN
Give me guarantee that you will
let my brother go if I told you
something.
MAHENDRA
Teri toh...
BRINDA
Mahendra!
MAHENDRA
Main jaanta hoon ki ye consignment
ke baare mein jaanti hai.
BRINDA
Toh kya - iss aurat pe haath uthoge
tum?
Beat.
MAHENDRA
Crime aur police - dono mardon ki
field hain. Aurtein ghusengi toh
pitengi. Ye aurton ko ghusne se
pehle samajh lena chahiye.
MAHENDRA (CONT'D)
(softly)
Paani piyega? Water? Haan?
Brinda walks down to the main door. Usmaan from his cabin
and Kartik from his desk notice her.
The sentry opens the gate for her. She is out. Usmaan
and Kartik exchange looks.
15.
Usmaan turns away from window. The door opens and Mahendra
steps out of the interrogation room.
MAHENDRA
Consignment ka pata chal gaya
sir.
Usmaan nods.
USMAAN
Us-se zyada chot toh nahin?
MAHENDRA
Nahin sir. Chal-phir raha hai.
Aap kaho toh hansne ko boloon us-
se.
Brinda gets off her car. Slams the door shut and sits on
the bonnet. Her one leg on the road and another propped
on the mudguard.
PEANUT VENDOR
Seeng madam?
BRINDA
(pissed)
Gaye ke hain ya bhains ke?
PEANUT VENDOR
Gadhe ke sar ke hain. Khane hain -
paanch rupaye mein?
BRINDA
Khila bhi sakti hoon. Khayega?
BRINDA (CONT'D)
(on phone)
Yes sir.
16.
USMAAN'S VOICE
Kahan ho?
Beat.
BRINDA
(on phone)
Marine Drive sir.
USMAAN'S VOICE
Main aa raha hoon.
Beat.
BRINDA
Ji.
The call gets cut. Brinda replaces the phone in her pocket
and walks up to the edge, looking over at Arabian Sea.
KARTIK (V.O.)
Agar uska tareeka pasand nahin
toh bulaya hi kyun tha Brinda ko?
MAHENDRA
Uske tareekon ke liye nahin bulaya
tha us-se. Supreme Court ne
majboor kar rakha hai - female
criminals ke liye female officers -
isliye bulaya tha. Aur upar se
Usmaan sahab ne alga sar chada
rakha hai madam ko.
KARTIK
Tune sach mein usko yeh bola ki
underworld aur police mardon ki
field hai.
MAHENDRA
Haan. Main kya darta hoon us-se.
KARTIK
Nahin. Bas yeh kabhi Julie ke
saamne mat bolna.
MAHENDRA
Tu phir...subah bhi tune...
KARTIK
(changing topic)
Woh dekh... ho gaya almost...
17.
MAHENDRA
Dikha diya partner.
KARTIK
(smiles)
Ab court mein dekhte hain kya
hota hai..
MAHENDRA
Court mein kya hoga - Miss Lily
aur uske saathi sab jayenge Arthur
Road.
Kartik nods.
KARTIK
Brinda ke chale jaane ke pehle
uske sign liye the na - panchname
pe.
KARTIK (CONT'D)
Toh phir defense lawyer sabse
pehle panchnama dekhega aur bolega
ki Lily ki questioning mein koi
lady officer present nahin thi.
KARTIK (CONT'D)
Isliye Brinda ke sign lene zaroori
hain...
KARTIK (CONT'D)
Aur uske liye Brinda ko 'sorry'
bolna bhi zaroori hai...
KARTIK (CONT'D)
(nods)
Good.
18.
USMAAN
Achcha hua tum zyada aagey nahin
nikal gayi - varna pakadna mushkil
ho jaata.
USMAAN (CONT'D)
Gussa thanda hua?
USMAAN (CONT'D)
Kuch khaya?
She nods 'yes' and then takes out some peanuts wrapped in
a paper from her pocket.
BRINDA
Bhook lagi thi aur mungfali wala
baar-baar aa raha tha.
Mujhse...raha nahi gaya...
USMAAN
Bhook toh mujhe bhi lagi hai -
saath lunch karen?
BRINDA
...Problem yeh hai sir ki hum log
paperwork mein phanse reh jaate
hain aur criminals apna kaam karke
nikal jaate hain...unhe files nahin
banani padti na..
USMAAN
Toh tum bhi koi gang join kar
lo...NCB chodd ke..
USMAAN (CONT'D)
Drugs - karodon ka business hai.
(MORE)
19.
USMAAN (CONT'D)
Upar se lekar neeche tak log
involved hain - kuch countries ki
toh poori economy ispe chati hai
aur kuch countries jaise Pakistan -
unke yahan pal rahe terrorist groups
ko drug smuggling se kamaye paison
se fund karte hain.
BRINDA
Itna mushkil hai isiliye toh NCB
join kiya hai maine.
USMAAN
Jitna mushkil tum samajhti ho
utna nahin hai...
USMAAN (CONT'D)
...Us-se kahin zyada hai.
Beat.
USMAAN (CONT'D)
Gangsters aur unke political
connections pehle hi hamara kaam
mushkil kar dete hain. Phir
organizations like ANC and DRI
jinhe hamari tarah sarkar se utni
hi funding milti hai jitne
criminals ko pakad ke woh filen
bharte hain. Billi-billi ki ladai
mein bandar roti lekar bhaag jaati
hai.
USMAAN (CONT'D)
Aur in sabse badi problem - NCB
ke apne I.O.s mein ego clashes -
jhagde.
BRINDA
Mujhe kabhi-kabhi gussa aa jata
hai sir.
USMAAN
Sab fayada uthayenge - tumhare
iss gusse ka.
BRINDA
I'm sorry sir.
USMAAN
Mujhe nahin. Office chalkar
Krishnan ko bolna.
She nods.
20.
USMAAN (CONT'D)
And after that mere cabin mein.
Important briefing hai.
The doors and every floor open and shut on their own,
repeatedly.
SHANKAR
Ye...ye kya ho raha hai sir.
DAYAL
Darwaza khul raha hai aur bandh
ho raha hai.
On the wall few TV screens show the what CCTV cameras all
over the building are seeing. Then the TV screens go off
as A HAND presses the remote control button.
DAYAL
Kaise ho?
ANSARI
Bikul theek. Aap sunaiye.
21.
DAYAL
Mera naya assistant hai - Shankar.
Pichle hafte hi join kiya.
Ansri nods and offers them to sit. Shankar sits, but his
eyes are all over the room.
DAYAL (CONT'D)
(noticing)
Shankar!
DAYAL (CONT'D)
Papers.
Fidgety Shankar opens the bag that he's been carrying and
pulls some papers out of it. As the papers come out of
the bag, Dayal almost snatches them from his hand.
DAYAL (CONT'D)
Kitna time laga rahe ho.
ANSARI
(to Shankar)
Aap thanda lenge ya garam.
DAYAL
(to Ansari)
Nahin hum bas niklenge.
DAYAL (CONT'D)
Zubeida se yeh papers sign karva
do - jo share uske naam par hain
unka bhav badha hua hai. Bech
dete hain.
ANSARI
(on intercom)
Haan andar aana zara.
USMAAN
Naved Ahmed Ansari. Umar 35 se
40 ke beech hogi. Photo phata
hua hai aur kaafi purana hai -
isliye shakal pe mat jaana.
As the photo will pass hands we will see that it's Naved
Ansari's photo in his early twenties with an unseen man's
hand on his shoulder.
USMAAN (CONT'D)
Bombay mein aane waale ya Bombay
se pass hone wail Cocaine, Charas,
Ganja, Heroin, Mandrax ka 80
percent business Ansari aur uske
aadmi karte hain.
USMAAN (CONT'D)
Harbour Line aur uske aas-paas ka
ilaka iska gadh hai. Ansari ke
zyadatar godowns, iske aadmiyon
ke ghar , sab idhar hain.
Usmaan runs his finger in circle over the map. All the
I.O.s are looking at Usmaan with full concentration.
MAHENDRA
Toh kab raid karna hai sir.
USMAAAN
Kahan raid karoge?
MAHENDRA
Iske aadmiyon ke ghar aur iske
godowns pe.
USMAAN
Number 1 - iske zyadatar godowns
ki exact location humien pata
nahin hai. Number 2 - in areas
mein iske kaam karne waale itne
hain agar unhone soongh bhi liya
ki hum surveillance kar rahe hain
toh raaton-raat godown change kar
denge.
(looks at all of
them)
Aur sabse zaroori baat - Iske ek
do consignment ya do-chaar godowns
hum kabhi bhi bust kar sakte hain.
But an organization like Ansari's
can survive almost anything.
Almost anything. Except a direct
hit on the man himself.
23.
ANSARI
(handing her the
papers)
Ye wakeel sahab ne jahan-jahan
nishaan lagaya hai wahan sign kar
do.
ANSARI (CONT'D)
(to kid)
Aap kya kar rahe the?
KID
Homework.
ANSARI
Toh jaake khatam karo apna
homework.
KID
(jumping)
Mummy ke saath jaaonga.
ANSARI
Ye ammi se mummy pe kab aa gaye
aap.
KID
Teacher ne sikhaya.
ANSARI
Yeh do-do uncle baithe hain yahan -
inko 'adaab' bola aapne.
Kid for the first time pays any attention to both the
lawyers.
ANSARI (CONT'D)
Chalo - 'adaab' bolo.
KID
(to his father's
chest)
Adaab.
24.
ANSARI
(chuckles)
Yahan nahin - udhar dekh ke bolo.
KID
(quickly)
Adaab.
Zubeida comes back with the papers and hands them to Dayal
Babu who scrutinizes them.
DAYAL
Theek hai.
ANSARI
Lo andar le jaao ise.
KID
(to Ansari)
Nahin - main aapke paas.
USMAAN
Ye sab Ansari ke purane records
hain. Ansari ne 80s mein imported
electronics or readymade kapdon ki
smuggling se apna career shuru
kiya tha. Phir woh imported cars
ki chori par pahuncha.
USMAAN (CONT'D)
Lekin 95 ke baad he dropped out
of sight. Police aur Customs
files mein 1995 ke baad uske kisi
activity ka koi record nahin hai.
BRINDA
Meaning?
USMAAN
1995 mein Narsimha Rao government
ki open door policy ke baad smuggled
electronics aur garments ki market
(MORE)
25.
USMAAN (CONT'D)
kahtam ho gayi. Drugs was the
next profitable commodity. Ansari
ne apne purane dhande bandh kiye.
Uski files bandh ho gayi.
KARTIK
Aur uske naye dhande?
USMAAN
Woh shuru karne se pehle usne ek
workforce banaya...
USMAAN (CONT'D)
Managers, pushers, enforcers.
Saara business woh inhi workers
ke through chalata hai.
KARTIK
Darta nahin hai - ye Ansari - ki
kahin kisi din iska koi worker ya
manager saara dhanda na samet le.
USMAAN
Koi kaise sametega - us-se maal
bechne waale yeh nahin jaante ki
woh aagey kahan bechta hai. Aur
us-se khareedne wale ye nahin
jaante ki woh kiss-se khareedta
hai.
BRINDA
Any white collar crime sir? Koi
income tax ka case - ya koi do
number ki property dealing.
Usmaan smiles.
USMAAN
You'd be surprised. Uske naam pe
koi makaan - koi car ya scooter
tak nahin hai. Not even a savings
Account. Hai sab-kuch par doosron
ke naam pe. Isliye uska koi legal
record bhi nahin hai. Woh aur
uski family ka koi bhi shaks drugs
ke aas-paas bhi nahin jaata. Koi
direct delivery mein involve nahin
hota tha.
MAHENDRA
'Tha' matlab?
USMAAN
Kal rata ek major breakthrough
hua.
(MORE)
26.
USMAAN (CONT'D)
Ansari ka chota bhai Wasim kal
rata ek delivery dete hue pakda
gaya.
I.O. 4
Kisne pakda sir?
USMAAN
(smiles)
Tumhare sautele bhai. Mumbai
Police. Anti-Narcotics Cell.
Dayal is furious.
DAYAL
Maine pachaas baar mana kiya hai
ki delivery lene ya dene khud mat
jaya karo. Lekin yahan toh sab
hero hain na. Wasim maal ke saath
pakda gaya hai.
ANSARI
Aap mil kar aaye us-se? Kaisa
hai?
DAYAL
Theek hai. Aur woh ladka kya
naam hai uska...
ANSARI
Rajesh.
DAYAL
Haan - woh kaafi dara hua hai.
ANSARI
Abhi kitna wakt aur lagega Wasim
ki bail mein.
DAYAL
Dekhte hain.
ANSARI
Yeh aapke liye. Aur yeh kisi ko
khilana-pilana ho andar toh uske
liye. Dekhna Wasim ko koi takleef
na ho andar.
DAYAL
Wasim ko takleef tabhi ho sakti
hai agar usne kuch bola. Ya phir
agar Rajesh ne munh khola.
DAYAL (CONT'D)
Hum log chalte hain. Khayal
rakhna.
Ansari nods.
MAHENDRA
(re: the photo)
Aur yeh woh resort jahan hum sab
chutti pe jayenge - Ansari ko
pakadne ke baad.
USMAAN
Done. Lekin ticket ka kharcha
tumhara. Waise yeh bungalow
Khandala mein nahin Karachi mein
hai.
KARTIK
Kiska hai?
USMAAN
Hai toh kisi Ali Hassan Iqbal ke
naam pe lekin khabar hai ki Ansari
ka hai.
USMAAN (CONT'D)
Ansari ne India chodd ke jaane ka
plan bana liya hai. Woh Karachi
shift hone wala hai. Aur ek baar
woh wahan chala gaya phir koi
extradition treaty us-se yahan
ghaseet kar nahin laa sakti.
BRINDA
Kitna time hai hamare paas?
USMAAN
Jab tak Wasim andar hai tab-tak.
Ansari apne bhai ko chodd ke kahin
nahin jayega. Brinda. Mahendra.
USMAAN (CONT'D)
Mujhe kal Wasim. Uska saathi
Rajesh. Dono yahan chahiye.
USMAAN (CONT'D)
ANC mein koi inspector choon-chaan
kare toh ye orders ki copy dikha
dena. Wasim aur Rajesh ki custody
officially NCB take over kar raha
hai.
(he looks at all)
Everybody. Clear?
USMAAN (CONT'D)
Good. Let's start with Wasim and
Rajesh and get Ansari soon.
MAHENDRA
Unn...Brinda...ek minute...
MAHENDRA (CONT'D)
(re:register)
Yeh...woh...Miss Lily ka panchnama
hai...sign kar do...
BRINDA
Par main toh poore questioning
mein thi nahin. Na mere saamne
usne statment diya.
MAHENDRA
Mere saamne diya - tumhare saamne
diya - ek hi baat hai.
BRINDA
Toh phir maine sign kiya tumne
sign kiya - ek hi baat hai.
29.
MAHENDRA
Ek baat nahin hai - tum jaanti
ho.
BRINDA
Main jaanti hoon - lekin tum bhool
jate ho. Ab bhugto.
MAHENDRA
Kya bulwana chahti ho mujhse?
'Sorry' ya 'please?'
BRINDA
Actually dono.
MAHENDRA
Ok. I'm sorry. Please sign kar
do.
BRINDA
Good. Kal Crime Branch mein milte
hain.
BRINDA (CONT'D)
Wasim ki custody ke liye.
BRINDA
Hi mom.
She sits down taking the next chair. They both see the
two men playing.
BRINDA (CONT'D)
(re: scoreboard)
Mr. Sawhney jeet rahe hain.
BRINDA'S MOTHER
Hamesha ki tarah.
Brinda nods.
30.
BRINDA
Aur main aaj haar ke aayi hoon -
hamehsa ki tarah.
MR. SAWHNEY
Did you see my last shot? Did
you Brinda? Aaj phir haar gaya
Chaddha.
BRINDA
I saw it dad. Wonderful.
MRS. SAWHNEY
I knew from the start - that you've
been quite a manipulator Mr.
Sawhney.
MR. SAWHNEY
Mrs. Sawhney - everything is fair
in love and war. Aapko dekhte hi
Chaddha wants to win so badly
that he ends up losing it.
BRINDA
I just wanted to win so badly.
After putting the last paper he locks the file and on the
topmost sheet he fixes Ansari's half torn photograph.
And then his hand places the paper next to Ansari's photo.
The other torn half of the photo. The jigsaw completes.
The man standing next to young Ansari in the photo is
Usmaan.
USMAAN
(soft whisper)
I just want to win so badly against
you Ansari.
ANSARI
Wasim aur Rajesh dono saath khel
ke bade hue hain.
RAJA
(concerned)
Uski behen ka phir phone aaya
tha. Pooch rahi thi Rajesh kab
tak bahar aayega.
ANSARI
Main jaanta hoon uss ladke ko.
(MORE)
32.
ANSARI (CONT'D)
Usme jigra nahin tha aise delivery
pe nikalne ka. Apne Wasim ne hi
baat daali hogi uske dimaag mein.
RAJA
(nods)
Woh jaise hi pata chala Wasim ko
driver aaj chutti pe hai - woh
khud hi nikal gaya delivery pe.
Na mujhse poocha. Na aapse.
ANSARI
Rajesh ki behen ko kya bola?
RAJA
Ek-do din mein ghar aa jayega.
Bas yahi.
ANSARI
Paise-waise ki kuch zaroorat hai
unko?
RAJA
Kuch bola nahin usne...
ANSARI
Bhijwa dena phir bhi...
RAJA
Agar baat sambhal sakti toh yahan
tak nahin pahunchti. Aap dil
chota na karen.
RAJA (CONT'D)
Main intezaam karke phone karta
hoon.
The sun has lazily lowered itself into it's bathtub - the
sea. It's become dark except few colored streaks in the
sky.
MR. SAWHNEY
Jab Mukherjee wala incident hua
tha - tumne mujhe ya apni mama ko
kyun nahin bataya?
33.
MRS. SAWHNEY
(upset)
Apne office ke matters ye kabhi
share karti hai - aapse ya mujhse.
MR. SAWHNEY
Mrs. Sawhney please. Is wakt toh
na daantiye use.
He looks at Brinda.
MRS. SAWHNEY
(still upset)
Aur woh bhi jab tak hum dono hain
hain. Jab nahin honge tab koi
nahin kahega kuch batane ke liye.
BRINDA
Mom please.
BRINDA (CONT'D)
I'm sorry.
MR. SAWHNEY
Never be beta.
BRINDA
I'm sorry mom.
MRS. SAWHNEY
It's ok.
BRINDA
Really. That' great.
MRS. SAWHNEY
Tu bhi ek baar phone kar lena.
Pummy ko achcha lagega. Aaj bhi
keh rahi thi ki Brinda aur Rajni
dono ek hi saal paida hue the...
BRINDA
Ghar chalkar call kar loongi.
MRS. SAWHNEY
Haan kar lena. Pummy mujhe aaj
bhi keh rahi thi - Brinda aur
Rajni dono ek hi saal paida hue
the...
BRINDA
Aapki medicines raaste se pick
karni hain na...
MRS. SAWHNEY
Yeh second time tune meri baat ko
beech mein kaata hai.
BRINDA
Maine bas topic change kiya hai -
dono baar.
MRS. SAWHNEY
Kyun?
BRINDA
Kyunki mujhe nahin baat karni iss
baare mein ma.
MRS. SAWHNEY
Mujhe karni hai. Tu aur Rajni.
Ek hi umar ke ho. Uska doosra
bachcha ho gaya hai aur tune abhi
tak shaadi bhi nahin ki.
BRINDA
Mujhe nahin karni shaadi mom. I
hate the bloody word 'marriage.'
MRS. SAWHNEY
Woh jinhe tu bahut bada hero maanti
hai na unhone ne bhi ki thi -
mere saath.
35.
BRINDA
Woh lucky the - unhe aap mil gaye.
MRS. SAWHNEY
Mujhe behla mat.
FADE OUT:
FADE IN:
Brinda picks up the pen and makes the entry into the
register:
MAHENDRA (O.S.)
Jagdale sahab.
PEON
Jagdale sahab toh aaye nahin abhi.
Aap kahan se?
36.
MAHENDRA
Main Byculla se. Aur ye madam
Malabar Hill se. Problem hai?
MAHENDRA (CONT'D)
Time pe nahin aate kya log yahan
pe?
(pointing at the
wall clock)
Sawa gyarah baj rahe hain - daftar
sunsaan pada hai.
SUB INSPECTOR 1
Aap logon ki tarah jaldi nahin
sote hum log. Kaam kya hai?
BRINDA
Woh toh jis-se hai usi ko
batayenge.
(looks at another
S.I.)
Kya Rao - mota ho gaya hai.
Execrice wagarah chalo nahin hai
tum logon ki?
SI RAO
Haathi ke daant hain madam - khaane
ke aur - dikhane ke aur. Agar
khaane ke daant dekhne hai toh
kabhi bhi do-do haath kar lena.
MAHENDRA
Doodh ke daant toh tote nahin
abhi tak tere Rao aur badi-badi
baatein karne lag gaya hai.
SUB INSPECTOR 1
Jab daant todne-tadne pe baat
aayegi tab dekha jayega kaun kiske
todta hai. Abhi hum hamara kaam
karte hain. Aap log Jagdale sahab
ko phone karke aana.
BRINDA
Musibat phone karke nahin aati.
Bas aa jaati hai.
MAHENDRA
Lo - aa gayi.
37.
Jagdale walks to his desk and takes his Ray Ban's off.
The officers in his office stand up or stand straight
depending upon their position as they see Jagdale entering.
JAGDALE
Kyun aaye ho?
BRINDA
Aapko hello bolne?
JAGDALE
Hello. Hi. Ho gaya. Abhi wato.
BRINDA
(shrugs)
Theek hai. Wat-te hain.
JAGDALE
(subdued)
Upar aao. Office mein baat karte
hain.
MAHENDRA
(polite)
Chai khatam karke aate hain.
Jagdale nods.
BRINDA
(with due respect)
Yeh jaante hue bhi ki drug related
cases mein NCB apex agency hai -
aapne humein Wasim ke delivery ke
baare mein inform nahin kiya.
JAGDALE
NCB ko inform karna hamari duty
nahin hai. Waise agar sabse zyada
powers NCB ke paas hain toh Wasim
ki delivery waali information
pehle NCB ke paas kyun nahin
pahunchi.
BRINDA
Intelligence toh har tarah ki aati
hai. Action lete lete kabhi kabhi
time lag jaata hai.
JAGDALE
Intelligence gather karne ka jo
street-level network police ka
hai woh kisi bhi badi agency ka
nahi hai. Waise NCB ko Wasim mein
kya interest hai?
BRINDA
Wohi jo police ko hai.
JAGDALE
(smiles)
Hum ANC waale toh chote se chote
case mein bhi interested rehte
hain. Aap NCB wale toh bade cases
mein hi deal karte hain.
BRINDA
Zyada bade cases aate hi kahan
hain aaj-kal. Par sarkar ko khush
karne ke liye filen toh bharni
padti hain. Bas isliye Wasim ko
aapse cheen rahe hain.
Jagdale laughs.
JAGDALE
Aur bhi chaar sau saat filen hain
ANC mein. Unme se khaas Wasim ki
custody ke liye aaye hain aap
log. Kuch toh baat hogi?
MAHENDRA
Humne chaar sau saat naamon ki
parchi daali. Jab ek nikali toh
Wasim ke naam ki nikli. Waise
hai kaun yeh Wasim?
39.
JAGDALE
Baat karne ka time hi kahan mila
us-se. Ab aap lekar jaa rahe
hain. Aap hi pooch lena.
JAGDALE (CONT'D)
Saab Wasim Ansari ko van leke
aayi. Neeche hai.
JAGDALE (CONT'D)
(handing the file
to Mahendra)
Yeh rahe Wasim ke custody ke
papers. Yahan sign kar dijiye.
Aapka qaidi neeche van mein hai.
.
MAHENDRA
(looking at the
documents)
Do logon ki custody ki baat hui
thi - Wasim aur Rajesh. Doosra
kahan hai?
JAGDALE
Doosre ke custody aapko aur upar
jaana padega.
MAHENDRA
(smiles)
Humse upar kaun hai.
JAGDALE
Uparwala.
JAGDALE (CONT'D)
Rajesh ussi ke paas chala gaya
hai. Kal rata suicide kar liya
usne. Pehle hi dara hua tha.
FADE OUT:
ROLL CREDITS: