Scene 1
Papa chair par baithkar newspaper padh
rahe honge aditya aur aditi ready ho rahe
honge .. maa entry karegi
Maa;- ufff adi beta tum abhi tak taiyaar nhi
hue ….
Aditya:- haa maa aaj mera mann nai h scul
jane ka, aur dekho na bahar thodi barish bhi
ho rhi h?
Maa ;- haa beta aap to kagaj ke bane h na,
jo barish me pighal jayega,vse bhi padh ke
kon sa aap ne engineer banna h?
Aditya ;- haa maa aap bilkul theek keh rhi
h!padh likh ke to ye sab enginner hi ho gaye
… dekho aaj ye kya kar rahe hain
Alisha;- ha maa to bhaiya kaun sa school me
padhai karne jate hai ladki hi to tadte hai
din bhar
Aditya;- ye to nayanjyoti badhane me
labhdayak hota hai
Maa;- meri jhadu bhi buddhi sudharne me
labhdayak hai
Baap;- aur mera danda use bhi jyada
labhdayak hai
Aditya;- nahi papa jaa rahe hai poora gyan
lappet ke aaenge
Alisha;- chalo bhaiya ab chaloge school ??
Aditya;- tum chup raho samjhi sab tumhari
waajah see ho raha hai
Scene 2 school scene
Teacher ;- bachooon aaj hum tum logo ko
history padhaenge ….baat hain 1850 ki jub
maharajao ka samay hua karta tha
Bacche;- sir aapko kaise pataa aap us darbar
me bhi gyan baat te the kya
Teacher;- wo to phir bhi darbar tha .. ye to
macchi bajar hai……. haan to baccho mai
kaha tha
Bachhe;- sir maharaj ke darbar me
Teacher;- tum chup raho , chup chap baith k
padho
Bacche;- chup chap kaise padh sakte hain
bhai
Aditya (paper phekne ki koshish karenge )
lekin paper ssir k paas phoch jaega
Teacher;- bahot number lene ka shauk hua
hai tumko ab tum humko do number wo bhi
apne pitaji ka
Aditya baithne jaa rhe honge tbi adarsh
compass laga denge
Parents ko bulaya jata hai
Teacher;- babloo ji apka ladka itna harr… hai
Poori kaksha ki balikayo se number mangta
rehta hai …. Deta phir bhi koi nahi hai
Papa;- nalayak hai ekdum
Maa;- suniye ji aap hi pe to gaya hai
Papa;- hum to number leke aate the
humesha
Teacher ;- lagta hai mamla parivaarik hai
acha ye bataiye karna kya hai
Papa;- guruji ab kya batae agar inki harkate
bata diya to apke bhi nikal jaenge ..are bhai
aansu …. 10 min ka rasta h ghar ka …har
ped ginte hue aate hai …. Kabhi kabhi to fal
ke liye neeche hi baith jate hai ..maa inke
daag dhoye dhoye pareshan hai … maana
daag ache hain utarne bhi to chahiye
hai……..
Maa;- daag ki baat aap to mat hi kariye us
din mere jane ke bad…
Baap;- haa guruji ap sudharne ke bare me
kya keh rahe t+he
Teacher;- nahi aadi theek jaa raha hai jis
hisab se godown hai showroom to aisa hi
hoga jaiye aap log jaiye
Scene 4
Ghar ka scene
Maa;- waah beta waah bhot nam roshan
kiya h hm logo ka :
papa:- tmhre karname sun k dil garden
garden ho gya h
aditya :- are >>! Lagta h master ji aaaj bhot
tareef kiye h hamari
Papa:- bta rhe the ki smjh lijiye “aaryabhatt
ne 0 ka aavishkar aapke bacche ke liya hi
kiya h”
Aditya: papa aap hmko ek mauka r de hm
clg jaa ke aapko kuch bnke dikhayenge
Papa:nalayak,badtameez r jahil to tum ban
hi chuke ho ! ab kuch bacha h banne ko
Aditya: papa main aapko er. Bnke
dikhaunga.
Papa:haa to bat to wo hi hui na!
(papa belt nikalke pit te hai)
(Goes to hostel)
Scene5
Akshdeep;- papa ne to tel ki bottle di hai
lagane ko par yaha lagta hai kuch aur hi
lagana padega
Shivendra;- ek mahashay aur aaye hain …
baal dekho aisa lagta hai mochi se katwa ke
aae hai
Shweta;- ye chirkut kaun hai?
Aditya;- are hm enginnering krne aaye hai
Shweta;- hum to jaise gaddha khodne aaye
hai
Shivendra;- aa tub hi aaja , bhai ek aur peg
bana
Aditya;- main hi haath lagata in sab ko
Akshdeep;- ye to engineering ka starter
pack hai
(dono log jabardasti pila dete hai )
Dance krega channa mereya song pr
Aditya;- kaash maa ki baat suni hoti to aaj
ye din na dekhna padta
Shweta;- kya kehti thi tumhari maa
Aditya;- ammi jaaan kaha karti thi
Akshdeep and shivendra;- are kya kehti thi
Aditya;- saala suni hi to nahi
Scene 6
Shivendra, akshdeep, shweta , adi ,,,
Bhai suna hai aaj companiya aa rahi hai
place ment dene
Aditya;- to kya hua
Akshdeep;- bhai kuch padh le
Aditya;- sahil me kashti to sabhi utar lete
hhum to wo hai jo tufano pe sawari kiya
karte hai, aaj tera bhai bina padhe select
hoga
Interview ka scene Aryan ,adarsh , niharika
Aditya aaata hai aur bina pooche baith jata
hai
Aryan;- hum me se koi bola baithne ko
Aditya;- sir humko laga chair padi hai to
baith jae
Adarsh ;- yaha paani pada hai use naha bhi
lo
Aryan;- tumhari hobby kya hai
Aditya;- hum guitar baja lete hai (niharika
maam ko dekh kr)
Adarsh;- guitar bajane se company thode na
chalti hai are kuch padhai wadhai ki hai???
Aditya;- humne engineering ki hai sir
Aryan;- (points at chaprasi ) isne bhi
engineering hi ki hai
Adarsh ;- aaj se 5 saal baad apne aap ko
kaha dekhne chahoge
Aditya;- maam ki bagal wali seat pe
Aryan;- aisa hai tum apni file lo aur niklo
yaha se
Aditya ;- sir pr…..
Aryan :- jate ho ya bulau security ko
Scene 7
Ghar ka scene
(aadi mayus hokr ghar pea ata hai)
Papa;- koi baat nhi beta ye jeevan ka ant
nahi hai ye bs ek seekh thi tumhare liye ki
jivan me padhai ka hi ek alag mahatva hota
hai , umeed hai ki tum ab is baat ko samjh
chuke ho , wo kehte hai na jab jago tabhi
savera
Aditya;- papa ab mai is bat ko samajh
chukka hu ki jiwan me padhai bhot jyada
mahatvapurna hoti hai
Scene transition
Kuch saal baad
Adityaa chair pe baitha hoga
Papa;- beta tu office ke pehle din kya
pehnega
Aditya;- kya matlab papa
Papa;- are sunti ho??
Maa;- haa boliye kya hu
Papa;- are mooh meetha krwo tumhare
ladka ki naukri lagi hai
(they both hug him)
Scene ends
To ye thi humari choti si peshkash jo ye
darshati hai ki humare jeevan me shiksha
aur maa baap ki dant dono bhot
mehavatvapoorna hoti hai , jub hum chote
hote hai to bachpane me hi jeevan nikal jata
hai aur jab thode bade hote hai to khud ko
bhot bada samjh lete hain , par akhir me
maa baap ke sanskar hi hote hai jo baccho
ko sahi raste pe lekar aate hai jaise mai aaya
… dhanyawd