0% found this document useful (0 votes)
146 views7 pages

Some Last Days of College

The document summarizes scenes from the life of Ayush, a college student. In the first scene, Ayush wakes up to a call from his friend Sam reminding him of their exam timetable. The next scene shows them arriving at college and checking the exam schedule, which starts on the 10th and ends on the 25th. They then discuss in the canteen how they will soon face challenges of career, jobs, and responsibilities after college. In the last scene, Ayush's father calls after his exams to remind him to start preparing for UPSC exams, worrying about his future if he doesn't get a good job. Ayush is left feeling uncertain about what to do.

Uploaded by

shailhhujefa
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
146 views7 pages

Some Last Days of College

The document summarizes scenes from the life of Ayush, a college student. In the first scene, Ayush wakes up to a call from his friend Sam reminding him of their exam timetable. The next scene shows them arriving at college and checking the exam schedule, which starts on the 10th and ends on the 25th. They then discuss in the canteen how they will soon face challenges of career, jobs, and responsibilities after college. In the last scene, Ayush's father calls after his exams to remind him to start preparing for UPSC exams, worrying about his future if he doesn't get a good job. Ayush is left feeling uncertain about what to do.

Uploaded by

shailhhujefa
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as DOCX, PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 7

Scene one:

Morning time ( room me halka sa andhera) ayush ka phone ring hota hai.
Screen par Sam ka naam dikhta hai. Ayush nind se jaag kar phone Pick kar lete hai.
Sam : uth ja Bhai, college nahi jana Kya.
Ayush : hmm (nind me)
Sam : aaj exam ka time table ane wala hai jaldi se ready ho ke pahoch college.
Ayush : hmm, pahoch jauga.
Ayush phone pass me rakh kar uth jata hai. Ready hone ke liye bathroom ki aur
chalne lagta hai.

Cut….

Scene two.
Same day. 10 baje ayush apne college pahochta hai. College ke andar Sam se milta
hai.
Sam : chal agaya tu. Abb to bass kuch hi din bache hai fir ye roj roj ki jhanjhat
khatam. Bass ye exams jaldi khatam ho Jaye.

Ayush : Han yaar. Chal Chalke time table dekhte hai.

Scene: dono time table dekhne Jate hai. (Students ki bheed hatate huve)

Sam : hame bhi dekhne do Bhai .

Scene : dono time table dekhte hai aur pichhe hat jate hai.
Ayush: chal Bhai 10 tarikh se start hoge aur fir 25 ko khatam. Bass fir to tention
khatam sare.

Sam : Han yaar abb to padai bhi shuru karni hogi sirf 9 din bache hai.

Scene
Aur vo bate karte huve college ki canteen me pahoch jate hai.
(canteen me kuch Students hote hai, Aur Kuch Senior Log baithe hote hai, ye dono
bhi unke Pass Jakar baith jate hai )
Vo dono inki bate Sunte hai,
Ayush : Are bhaiyya ji Jara chay Pila dijiye mera gala Sukh raha hai.
(dono hasne lagte hai)
Sam : chain se pile bhai abb kuch hi din bache hai.
(pass baithe dono dost bate karne lagte hai.)
Rahul : yaar Sumit ham bhi aise hi yahan aise hi aya karte the. tuze Yaad hai ?
Sumit : haan yaar kaise bhul Sakta hun ? Sochte the ki ek baar yahan se nikal gaye
to Jindagi best hogi, na koi roj roj ki jhanjhat na exams na koi tention bass enjoy
karenge. han.. ( Sad expression)
Rahul : han yaar, Par aisa hota kahan hai, asli tention to yahan se nikalne ke baad
Shuru hoti hai. Career, job, family, paise, aur duniya bhar ki Jhanjhat. Sare dost
yaar sab bichad jate hai. Jo har roj sath rahte the vo abb salo baad milte hai. jo bhi
ho, those were the best days....

Ayush aur Sam in dono ki bate sun lete hai.


(Ek ladka chay lakar deta hai)
Rahul aur Sumit wahan se nikal jate hai.
Ayush : yaar ye dono baat to sahi kar rahe the waise.
Sam : Han yaar hame bhi yeh sari tention face karni hi hai. But chhod na chal abhi
chill kartey hai.

Ye dono chay khatam kar ke wahan se nikal jate hai. But ayush wahi sab soch Raha
hota hai.
Sam : kya huva Bhai tu thik to hai na.
Ayush : are Han kuchh nahi just thinking.

Fir ye dono bike pe bhait kar chale jate hai. Raste me ayush Sam ko drop karta hai
aur apne room pe chala jata hai.

Scene
Agle din Ayush aur Sam dono apne apne room pe padai karte hai.
Sham hojati hai. Ayush kitab band kar ke sam ko call karta hai.
Ayush: sun Bhai so Gaya kya.
Sam : Han bass sone hi wala tha.
Ayush : thik hai. Kal bass mujhe call kar ke utha dena.
Sam : Han. Bhai bilkul tu so jata Aram se.

Scene (the exam day)


Ayush apne room me bag me saman rakh raha Hota hai tabhi uska phone bhajta
hai. Uspe Sam ka naam dhikhai deta hai.

Ayush : Han Bhai bass nikal Raha hun. Tu ready hai?


Sam : bilkul ready hai.
Ayush bike leke nikalta hai. Sam ko pick kar le dono college pahoch jate hai.
Parking se college ki aur jate huve,
Sam : chal jaldi se exam hall pata karte hai.
Dono jaldi jaldi notice bord ki aur jate hai. Waha bheed me ghus ka ayush hall
number pata karta hai.
Ayush : Bhai Tera 4 hai aur mera 2.
Sam : ek sath nahi hai kya.
Ayush : abhe chhod na ek sath hota to konsa copy kar lete ham log. Chal abb
chalte hai.

Dono exam hall me. Sheet ati hai. Dono exam likh te hai. Kuchh der baad bell.
Sab log bahar ate hai.

Sam : kaisa tha bhai.


Ayush : are Bhai easy tha.
Sam : Han itna to mushkil tha .
Ayush : abe to wahi baat hai na.
Sam : Han matlab medium tha be.
Ayush : chal chhod abb chay pite hai.

Scene khatam.
Scene (last)
The last day
Exam HALL. Teacher announcement karte hau,
Teacher : exam ke sirf 10 minutes bache hai. Jaldi jaldi apni suppliments bandh lo.
Ayush apni paper se suppliments band leta hai. Thodi der me bell bajti hai . Sare
bachhe bahar ajate hai. Ayush aur Sam milte hain.
Sam : bataiyo aaj kaisa Gaya tera paper.
Ayush : Han wahi har din ki tarah everage. Waise bhi top kar ke konsi job lagne
wali hai.

Dono Fir bate karte huve chalne lagte hai tabhi unka ek classmate unhe rok deta
hai.
Ansh : are ayush, Sam jara ek minute ruk to jav Bhai, aaj college ka akhri din jara
ek photo to Lelo pata nahi ham kab milenge fir.
Ayush achanak sad hojata hai, aur Sam ki aur udasi bhari ankhose dekhta hai.

Sam : Han han bilkul chal ayush aja.

Ye thino photo lene ke bad ansh chala jata hai, ayush aur Sam fir se age badne
lagte hain. Dono bhi sad hai.

Ayush : yaar Sam ansh baat to sahi kah raha tha waise. Abb kaha milna hoga yaar
roj roj.
Sam : abe tu q tension leraha hai aise thodi hai miltey rahege yaar. Chal abb jyada
drama mat kar.
Ayush : Han baat to sahi hai. Par abb waise bhi bahot sare tension khatam hone
wala hai. Life na better fase me hogi. Enjoy karenge Bhai.
Sam : Kya enjoy karenge Bhai? Tu to janta hai UPSC kitna tough exam hai.
Preparation start karne ke baad kaha time hoga enjoy karne.
Ayush : abe yaar tu bhi na. Kitni tention leta hai career ki. Kuchh na kuchh to kar hi
lenge yaar. Chal abb chay pite hai.
Scene end

Scene ( bike pe dono college ke bahar nikal jate hai. Ayush Sam ko uske Ghar drop
kar deta hai.)

Scene (ayush ka room)


Ayush apne room pe chala jata hai. Bag table pe rakh ke shoos utar kar bed pe
baith jata hai tabhi uska phone bhajta hai. Screen pe “papa” likha hota hai .
Ayush call receive kar leta hai.
Ayush : Han Papa namaste.
Papa : kaise rahe beta exam.
Ayush : Han Papa thik hi the.
Papa : achha pass to ho jayega na tu?
Ayush : bilkul papa. Bilkul pass ho jaunga.
Papa : aur tune age ka kya socha hai? Upsc Karega ya kuch aur?
Ayush : papa abhi to mere exams khatam huve hai abhi kuch din jara break lena
chahta hun.
Papa : bilkul beta. Lekin yaad rakh Tera ek ek din bahot kimti hai. Beta tere jindagi
ke asli exam to abb shuru hoge. Aur job milna kitna mushkil hai tu to janta hai.
Agar UPSC nahi kiya to tu kya Karega beta. Kahan job lagegi. Mai aisa kab tak sari
jimmedari sambhalunga. (Ayush sad hojata hai) tu jaldi se kuch kar le beta. Mai
thak gaya hu.
Ayush: ji papa.
Papa : rakhta hu fir.
Phone rakh kar ayush apne bed pe baitha hai. Papa ki bate uske dimag me ghum
rahi hai . Use ekdam koi zatka sa laga hai.

Ayush (monologue ) : Papa bhi sach kah rahe the. Kahan job lagegi meri. Kya hoga
mera future. Mere to kuch samajh me nahi araha. Kya karunga mai.

Ayush bed se uth ka room ke bahar chala jata hai.

Video ends.

You might also like