Ghaat Stories
(ghat par ek couple chal raha hai, raat ke lagbahg 2 bje hai,wo walk
kar rhe hai, couple mai thodi se behas chal rhi hai, boy is serious
but girl is in funnymood )
[4th wall =?> Audience]
boy1 : tum to khti rhti thi na ki mujhe aur kisi se answer aate nhi to
fir ab ye sab kaise…
Girl1 : are aise hi vo to kuch forward aa jate the yaar, mujhe lga ki
maine tumhe bhi bhej diye answer, aur kya hi hogya agar thode se cpi
alag aa gyi to…
boy1 : (gusse mai) ek hi galti kitni hi baar ki hogi tumne haan, aur
farak padta hai yaar iin grades se apne dono ke aane vale 3 saal tike
hue hai in par….
Girl1 : are par ab hogi na galti, jo hoga use dekh lenge na …
boy1 : baat yaha apne future ki hai or usse bhi upar trust ki, jo mera
tum par tha…..
Girl1 : (taunting) ohhhhhh, acha ji, jyada nhi bol rhe tum, aisa bhi
kuch nhi kiya maine, bas thode se alag answer likh liye to kya ho
gaya..
boy1 : (calmly) hua nhi but ho jayegi branch change vo bhi tumhari,
pta hai na usse kitna farak pdega..
Girl1 : (uske kandho par haath rkhte hue)kuch farak nhi pdega yaar we
will manage everything, trust hai na tumhe mujh par
(boy shows screennshot of chat between girl and a tomper guy)
boy1 : yhi baate hoti thi na tumhari hamare tomperrrrrr ji se, aise hi
flirt karti thi na tum uske saath, aur fir bolti ho maine kya
kiya…(halke gusse mai)
girl 1: par tum meri baat smjh kyu nhi rhe yaar, ab kaam nikalwane ke
liye gadhr ko to bhi baap bana hota h na.
boy1: tum flirt nhi kar rhi thi, tum uski feelings se khel rhi thi,
tumne socha bhi hai usko sach pta laga to us par kaisi bitegi….
Girl1 : are baba, ye uski galti hai na jo meri baato me itni aasani se
fas gya, aur ye to duniya hai hi aisi, aasani se bewakooof ban jaati
hai
(boy stands there for a sec and then asks girl)
boy1 : vaise hi na jaise mai ban rha hu…
(Both stares at each other)
….
(golu bhaiya enters)
Golu (chai vla): lemon tea lemon tea…..(couple ko dekh kar) Couples
vali liye special lemon tea, aap bhi try karlo bhaiyaa, mood refresh
ho jayega…..
(still silence)
Golu (4th wall): inki shakal dekh kar lag to nhi rha ki meri lemon tea
se kuch farak pdega but mujhe kya, apne ko to bas chai bechni
hai…(akshay kumar style)
Golu : itna gussa kyu ho bhaiya kya baat hui….
Boy1 : baat hi to nhi ho rhi golu bhaiyaa, sach ko bas gaad diya jaa
rha hai…
(golu bhaiya again to 4th wall)
Golu (4th wall): aee director, agle characters ko jaldi bhej, meri
chai ki bikri nhi ho rhi…
(one more couple enter there)
Golu : aa gye…….
Girl2 : aur golu bhaiya, sab badiya..
Golu : are sab mast hai, aap sunao
Boy2 : lo fir isi baat pe lemon tea pila do…
(both starts drinking lemon tea)
Girl1 (to boy1) :(innocence) mujhe bhi chai peeni hai, plzzz
Boy1 : golu bhaiya, lemon tea se insaan sach bolne lag jaata hai kya ?
Golu : agar ye sach hota to mai apni biwi ko roj raat ko pilata..
Girl1 : pichle 6 mahino mai maine tumhari har baaat mani hai, har chiz
mai tumhara saath diya hai, aur aaj ek choti si baat ke liye itni
naarazgi..
Boy1 (chillate hue): farak padta hai, in sab chizo se farak pdta hai…
(girl1 dar jaati hao)
Boy2 : are re re re shaant hojao re shaant hojao, itna gussa kya hogya
yaar, konsa year mai ho tum log?
Girl1 : 1st year..
Girl2 : are yaar, 1st year mai ho or itni tension, itni chinta…
Kaise facche ho tum..
(saying to boy)
Batana jra kya baat hogyi, kyu gurra rhe ho itna..
Boy1 : aapki tariff ?
Boy2 and girl2 : hum tumhare 4th year senior..
Girl1 : acha sorry mam, sorry sir.., arey hum to bas aise hi halka
fulka mjaak kar rhe the, aise hi thodi si ladai hogyi…
Golu : haan wo to dikh rha hai inki shakal se ki kitni thodi si ladai
hui hai…
Girl2 (to boy1) : tum btao aakhir hua kya hai….
Boy1 : (looks at girl1 face for a sec then talk to girl2) i trusted
her and she fooled me, that’s it….
Girl1 : sirf isliye kyuki ab meri branch change ho rhi hai or tumhari
nhi, aur ab tumhe lag rha ki maine tumhe itne time se bawakoof bna
rkha tha…
Boy1 : (gusse mai) lag nhi rha, ab mai sure hu tumne bana rkha tha…
Boy2 : hey bhagwaan, utha le re utha le, mujhe nhi is golu ko utha le,
or subh shyaam chai banwa isse,
Golu : (hairani mai) maine kya kiya…
Boy2 (to boy1) : aur ab tum, jara bataoge ki tumhare dimag mai kya
chal rha hai…
Boy1 : kuch bhi to nhi bhaiyaa,
Girl2 : ek sec ke liye sach bologe zara..
Boy1 : (keeep silent for 1 sec then speaks) hum log 6 mahino se ek
saath hai, now i really like her, and ab branch change ho jayegi fir
hum ek dusre se dur ho jayenge and i don’t want to lose her…
And she already broken my trust by copying correct answers and not
telling me..
Girl2 (to girl 1) : kya ye sach hai…
Girl1 : are mam wo…
Girl2 : sach hai ya nhi…
Girl1 : haan
Girl2 : (smiles and talk to boy1) so is time tumhara man or dil dono
tut chuka hai…
(talks to boy2) kuch yaad aaya
(boy 2 smiles)
Golu : hehe..
Boy1 : kya hua…
Boy2 : chalo thoda flashback me jaate hai….
(flashback scene of boy2 and girl2 starts where they celebrated their
moments on ghat)
boy 2 and girl 2 together (romantic tone): hum dono ne hamare har pal
ko yhi jiya hai, chahe fir vo first time ho jab isne mujhe date ke
liye pucha tha,
Chahe vo tab ho jb hum mai se ek ki branch change hogyi thi par dusre
ki nhi, hum bhi bohot lde the yhi par, chahe fir tab jab hume realise
ho gya tha ki hum dono ne kitni badi galti ki thi or hum yhi baith kar
roye the, chahe humari mastiyaa ho ya humare dukh, humne unhe yhi
baith kar jiya hai, bohot kuch saha par kabhi ek dusre ka haath nhi
choda….
Golu (crying): bhery emotional…
Boy2 (to boy1 and gir1) : ye to bas starting hai, galtiya humne bhi ki
thi but humne unhe sudhara bhi, humne maafi maangna sikha humne ek
dusre ki suni, or ab hum yha hai :),
Girl2 : thoda to tumhe ek dusre ke liye shna, yhi to asli zindagi ka
mja hai…
Golu (4th wall) : presenting to you, turu lob birds…
Girl2 : acha faccha chalo hum to chalte hai tum tumhara dekh lo…
(boy2 and girl2 go out from there and then girl1 sit there on side of
ghat and following her boy1 sit beside her too)
(Golu bhaiya came there and sit)
(Camera focuses to golu)
(A mono starts with tea in golu bhaiya hands)
Golu : kaafi saalo se yhi kaam kar rha hu, kaafi kuch smjha bhi hai
maine, par ye pyar vyaar, ye smjh nhi paaya kabhi, kuch log ise ek
khel ki tarh khel jaate hai, kuch log ise zindagi bhar nibhate hai,
kuch log bas isi mai hi dube rh jaate hai, har ek ke saath apna alag
hi khel chala rha hai ye, par aakhir mai hai to ye jano ki kahaani hi
na,unke ek dusre ke liye sab se lad jaane ki, galtiyo par ek dusre ko
sudharne ki, jarurat padne par ek dusre ka sahara banne ki, ek dusre
ki kahaani ko pura karne ki, haan yaar yhi pyaar hai…
Girl1 : you know, sorry yaar, mai thodi si selfish ho gyi thi, sirf
apne hi baare me soch rhi thi but i never meant to broke your trust, i
just dont know mai kya kar rhi thi…
Boy1 : koi baat nhi and sorry from my side too yaar, mai honestly
bohot jyada gusse me aa gya to cause i dont wanna lose you..
(head down and slow voice)
I just.. I just dont wanna lose you miss….
Mai bas itna janta hu i love you from all part of my heart, maine
tumhe hmesha sabse upar prioritize kiya, i always tried to make you
happy, all i ever spent is smile on your face…
Girl1 : does i really meant this much to you?
Boy1 : tumhe really doubt hai is chiz par?
Girl1 : (in funny way) haan, mujhe doubt hai!!
Boy1 : doubt to mujhe hai ki i really meant something to you or not!!
(girl1 ko gussa aata hai and she pushes boy)
Girl1 : i really meant everything, haan mujhe farak padta hai ki tum
ho ya nhi, mujhe farak padta hai jab tum mujhe ignore karte ho, mujhe
farak padta hai jab tumhari tabiyat thik nhi hoti, this all means to
me..
(girl1 sit down there)
Boy1 : (vapis baith kar) this all means to me too..
THE END!!