Bhavya - dekh gaya na to mar dunga tuje..
Prem - haa mardo na..main to chahta hu marna...maar do muje..
Bhavya - main majak nahi kar rha hu, main sschi main maar dunga..
Prem - are..aap smje nahi...main yaha marne hi aaaya hu..kabse koshis kar rha hu
marne ki, mar hi nahi paa rha hu..apne bhi muje adhmara chod diya..sab sala muje
aadhe main chod ke chale jate hai..aap please muje maar doo..
Bhavya - ht..(drop stick)
Prem - are yaar aap kyu nahi smj rhe ho..muje marna hai, main mar nhi paa rha
hu..kitni baar koshis kar li marne ki...bachpan main ak baar nas kaat thi, par sala
kisi ne bacha liya..zahar bhi khake dekh liya..pr sala har baar main fail ho jata
hu...muje marna hai..muje aaj kese bhi karke marna hai..aap muje maar do..apko muje
marna hoga..varna main bta dunga jake kisi ko..
Bhavya - kya
Prem - kya hai isme...mara hai na apne kisi ko..dekho muje sab pta hai abhi bol to
rhe the..bohot pyar karte the, galti se ho gya...kisi ko to mara hai na..bibi ko
maara hoga, ya gf ko maara hoga...kisi ko to mara hai apne..nahi to itni raat ko is
suitcase ko leke yaha picnic mnane thodi aaye ho..kisi ki to laas hai na
isme...usko maar skte ho to muje bhi maar do naa..
Bhavya - ht sala phtu..marna hai to khud mar na muje kya phsa rha hai..
Prem - aacha main phtu..phtu aap ho jo muje maar nhi paa rhe ho..phtu nahi ho maro
naa...itna pyar karte thee usko fir bhi usko maar diya...sutcaise main dalke usko
yaha phekne leke aaye ho, taki kisi ko shk na ho..ak orat ko maara hai aapne,
hatyare ho aap, katil...
Prem - haa haa mar doo do..
Bhavya - mene use jaan buj ke nahi maara...vo to hamara jgda hua tha..glti se mujse
ho...
Prem - glti se koi kisi ko nhi marta hai..apne jaan buj ke mara hai usko..
Bhavya - mene use jaan buj ke nahi mara hai...vo mene usko chahta mara..or..muje
marna hai..main marunga..
Prem - rahne do bhaisab..agar itna asan hota na to ab tak kam se kam 6 baar mar
chuka hota..apko sirf galti ka guilt hai...us glti ki sja lene ki himat nahi hai...
Bhavya - ha to tu bhi kud nhi paa rha hai..mtlb tune bhi kuch glt kiya hai...
Prem - mene kuch glt nahi kiya hai...vo to mere gf ne muje chod diya to main yaha
kudne aa gya...
Bhavya - nahi, itni se baat pe to tu marne nhi aa skta..tune kuch to glt kiya
hai..bol kya kiya hai tune uske sath..maar diya..maar diya hoga na usko..
Prem - aapki trha nahi hu main...
Bhayva - rehne de..kuch to tune bhi glt kiya hai..tabhi yaha marne..
Prem - hello..
Dost - bhai main dukan pe khada hu..paise kab bhejega..
Prem - yr abhi to nahi hai..ruk hai, main bhjta hu..
Prem - bhaisab ak kaam krna..isme 32 rupey dalna...
Bhavya - mtlb?
Prem - main dedunga baad main..
Bhayva - aacha tu garib hai, tabhi tu marne aaya hai yaha...ha tabhi tere gf tuje
chod ke chali gai...yahi baat hai naa...
Prem - zindagi main paisa hi sab kuch nahi hota hai..paiso se badi khusiya hoti
hai...
Bhavya - aale tere pass to dono hi nahi hai..
Prem - haa apke to dono hi hai...nahi apke paas to ab sirf paisa hi bacha
hai..Khushi ko to aapne maar diya..
Bhayva chup chap jake beth jata hai..
Prem - sorry..vo main jaan buj ke nahi bolna chahta tha..muh se nikl gya mere..
Bhavya - tu sahi keh rha hai..mene hi apne hatho apni khusi..sab mere glti hai,
kaash vo muje btati hi nahi or ye sab hota hi nhi..
PRem - vese hua kya thaa app dono ke bich?
Bhavya - vo hamara jagda hua tha, usne muje btaya ki uska affair chl rha hai kisi
ke sath..ab tu bta agar tu mere jgha hota or tuje pta lagta ki tere bibi ka affair
kisi or ke sath hai to kesa lagta tuje..kitne sapne dekhe the mene hamara ghar
hoga, bache honge..sala sab tut gye..
Prem - phir bhi maarna toh.. khair aap se glati se ho gaya
(silence)
prem - sapne na mere bhi bhaut baar tute hai...paida hote hi maa baap muje
anathalay main chod ke chale gye...vaha mene socha ki sala koi to muje adopt kar
lega..par sala kisi ne nahi kiya..kuch dost bnaye thee par sala unko adopt kar
liya..fir main vaha se bhag aaya..bahar aake mene job karna suru kiya..vaha muje ak
ladki mili.. uske sath mujhe aisa lagta tha mujhe sab mil gaya..par kya hua? woh
bhi chhor k chali gayi. aap puch rahe the kyu marne aaya hu, mai kisi k liye marne
nhi aaya hu mai toh bss isiliye mrne aaya hu ki mere pass jeene ka koi karan nhi
hai. bachpan se hi sab ne mujhe chora hai koi nhi hai mere pass...
bhavya - bura lagta haina, aap sapne sajao or woh koi tod de, maine meri biwi k
liye kitna socha, kitna kuch kiya usko khush rakhne k liye, lekin sala usne sab
barbaad krdiya
prem - hum mard na aksar yahi sochte hai ki hume aurto ko khush rakhna aata, hum
unke liye sapne toh sajate hai taaki woh khush rahe, lekin sapno mei swarth hamara
hi hota hai, kabhi yeh jante hi nhi ki unki Khushi kismet hai, kisi ko pyaar krne
ke liye usko chhana nhi hota hai samjhna hota hai.
bhavya - lekin kya mtlb hua tune teri gf ko samjha phir bhi tujhe chhor k chali
gayi na woh
prem - maine usko samjha isiliye woh jaa saki
bhavya - mtlb
prem - mere sath woh khush toh thi, lekin iss baat ka usko dukh tha
bhavya - mtlb
prem - mtlb yeh ki joh Khushi use mujhse milti thi woh Khushi woh apne pati se
chahti thi.
bhavya - woh shaadi shuda thi,, phir toh galat kiya hai tune do logo ki zindagi
barbaad kr di
prem - maine kisi ki zindagi barbaad nhi ki, maine wahi kiya joh mere dil ne kaha,
or mujhe toh nhi laga galat.
bhavya - toh uss ladki ko toh sochna chahiye tha na.
prem - kya
bhavya - shadi shauda thi woh
prem - shaadi shuda aurat ko khush rehne ka hak nhi hai kya
bhavya - toh iska mtlb woh kahi bhi bahaar jaake muh maaregi, affair krne se
solution nikal jaega, agar apne pati ke sath kuch nok jhok thi toh jaake batana
chahiye tha na pati ko
prem - aapko kya lagta hai usne kabhi koshish nhi ki hogi,
silence
bhavya - tere sath rehke usko aisa kya mil jata tha joh usko apne pati ke sath nhi
mila
prem - mere sath rehke uska adhurapan door hota tha.
bhavya - agar uske pati ko yeh sab baat pata lagegi toh kya woh use samjhega? maaf
krega usko woh, reh paega aisi auart k sath saari zindagi?
prem - agar pyaar krta hoga toh samjhega bhi, or sath rahega bhi.
bhavya - kya mtlb kya hai tere bolne ka.
prem - mtlb yehi ki usko bhi agar aapki Tarah sirf haq jamana hi aata hai toh woh
bhi yahi krta joh aaj aapne kiya.
bhavya - apni had mei rehke baat krr.
prem - maardo (laughing) maardo mai toh yahi chahta hu.
bhavya - saale dusro ki zindagi kharaab krke yaha mrne aa gaya...yahi guilt tha na
tera....isiliye tu yaha marne aa gya..
Bhavya - haa thik hai ho gai glti mujse..mene maara hai usko..lekin isme glt keval
main akela hi nhi hoo..main kya chahta tha..bs ak chota thaa hasta khelta
pariwar..jiske liye main din raat mehnat ki..khoon pasina ak kiya...or thik hai in
sab ke chaker main main bhul gya thaa use WQKT dena...lekin uska bhi to frz bnta
hai na ki vo muje aake smjaye..mujse baat kare..sabko sala main hi glt nazar
aaunga..muje koi nahi smjega..thik hai, manliya mene glt kiya hai..sab mere hi glti
hai..ab khush hai tu
Prem - mere kehne ka matlb yeh nahi hai...or main kaha apko glt thehra rha
hu...apki jgha agr syd main bhi hota ya koi or bhi hota to use bhi glti ho skti
thi..iske piche apka koi intention nhi thaa naa..jaan buj ke thodi kiya hai
apne.....
Prem apni pocket se rumal nikalta hai...uske jeb se inhealer gir jata hai...
Bhavya - asthama hai kya tuje..?
Prem - nahi ussee
Bhavya - use kiseee..?
Prem - jisee main pyar karta hu...
Bhavya - name kya hai tere gf ka?
Prem - gf nhi thi bs main hii use pyar karta tha.
Bhavya - kya name kya hai uska...
Prem - Deepti..
Bhavya - kaha mile thee tum log?
Prem - school main - hum dono teacher hai..
Bhavya - mere bibi ko s