Naat Sharif
Tumhare noor ki barsaat hoti hai madine me
Khudara daal do koi toh chiñta mere seene me
Wahi jalwe jo bikhre the fizaaye Arsh par hamdam
Nazar aate hai ab jalwa figan har soo madine me
Nabi ke Ishq se ishaaq ka dil shaad rehta hai
Hasad ki aag jalti rehti hai munkir ke seene me
Jamaal e haq nazar aata hai us momin ki aankhoñ ko
Ziyaa e gumbade khazra makiiñ hai jiske seene me
Meri tishna labi Ya Rab buj'he tasneem o kausar se
Rahe jalwa numa wo mehfile dil ke madine me
Himayat jisko haasil ho shahensha e madina ki
Payaame aman deti hai usse mauje safeene me
Wohi khushboo jo meh kaayi thi gulshan ki baharo ko
Basi hai har taraf dekho Zara chal kar madine me
Munnawar hai mera dil aur meri aankheñ bhi roshan hai
Tajal'li maahe taiba ki hai dil ke aabagine me
Meri sehre anurdi me ajab kaif e muhabbat hai
Nazar aate hai har soo wo mujhe sehra ke seene me
Na ho mannat kashmeena meri baada kashi saaqi
Nigaahoñ se pilaado phir mazaa aayega peene me
Na ho aankhoñ me aansooñ aur na harfe iltejah lab par
Kareena ye bhi ek dekha muhabbat ke kareene me
Guzaara Hind ki zulmat me ab mushkil hai KHUSTAR ka
Bula lijiye khudara ab usse apne madine me
______________________________________________________
                      Naat Sharif
Dil me ziyaa e gumbade khazra liye hue
Jaaunga hashr me yahi sauda liye hue
Kya baat hai bahaare madina ki kuch na puch
Hai farsh e khaak Arsh ka jalwa liye hue
Dil me hai unki yaad toh lab par durood e paak
Baqshish ka hai ye dono Sahara liye hue
Dekhi hai jisne gulshan e taiba ki dil kashi
Aankhoñ me hai wo noor e mujal'la liye hue
Mehkegi kabr ittre madeena se ek din
Aayenge apna wo rukhe zeeba liye hue
Kitni buland hai raah e ulfat ki azmate
Khwaja ka dar hai Arsh ka jalwa liye hue
Is dar pe aake dekhlo anwaar e shaahe deeñ
Hai rang o noor har gul e zeeba liye hue
Najdi khabees tujh ko na aayega kuch nazar
Hai dil me tu bagawat e maula liye hue
Ho izn e haazri mujhe sarkar phir ata
Phir hu hujoome yaas ka shiqwa liye hue
Be-ilm be-amal hu magar khush naseeb hua
Hu saat husn o Ishq ki duniya liye hue
Nazar e karam ho mujhpe bhi sarkar e do jahañ
Baare gunaah sir pe hu Aaqa liye hue
Kaafoor e gum hu phir se mile zindagi nayi
Aajaye aap sagar o miina liye hue
KHUSTAR ko do bahar e madeena ki nemate
Hu kabse apne dil me tamanna liye hue
______________________________________________________
                     Naat e paak
Shahoor e muhabbat ke asraar dekho
Nazar aa raha hai wo Darbar dekho
Dayaar e madeena ki pyaari hawaao
Kabhi mera bhi ye Dil zaar dekho
Salateen e aalam hai dar ke bikhari
Wakaar e muhabbat ka miyaar dekho
Hai baaraan e rehmat ka faizan sab par
Nikhar'ta hua har gunehgaar dekho
Gulaaman e sarkar dar par hai haazir
Utho aaj khud apne bimaar dekho
Hussain o hasan ke hai purnoor jalwe
Dar e paak e khawaja ka gulzaar dekho
Gareebo ke hai aasri pyaare khawaja
Ma'chalta yaha har dil e zaar dekho
Hai bagdad o taiba ke jalwo se roshan
Mera mai'kada mere mai'khwaar dekho
Agar Hind me dekhna ho madina
chalo chal ke khawaja ka Darbar dekho
Chala dowlat e zindagi ko lutaane
Gulam-e-shenshah e abrar dekho
Karam KHUSTAR e benawa par bhi karna
Na tut'te meri aas sarkar dekho
______________________________________________________
                         Naat Sharif
Youñ dil se aaj gumbade khazra kareeb hai
Jaise chaman se bulbul e shehdaa kareeb hai
Sir ko jhukaye aate hai jibreel bhi yaha
Sidra yaha se Arsh e mu'alla kareeb hai
Hasrat se dekhti hai unhe khuld ki ziya
Jinse mere huzoor ka roza kareeb hai
Har jalwe nazar hai musarrat se choor choor
Gulshan se mere noor e sarapaa kareeb hai
Rangat ne jiski khuld ko baqshi hai dil kashi
Is bazm e dil se aaj wo jalwa kareeb hai
Aasi pade hai khitte madeena me isliye
Bimaar e gam se jaane maseeha kareeb hai
Mujrim umeed bandhe madeene me aate hai
Is sar zameen se rehmat e maula kareeb hai
Lo Uth gaye hijaab baharoñ ke husn se
Dekho wo dil nawaz nazaara kareeb hai
Saaqi ki chashm e mast ke qurbaan jaiye
Jiski nazar se chehraye zeeba kareeb hai
Jo kho gaye hai shaahe madeena ke Ishq me
Duniya unhi ki, unhi se ukbaa kareeb hai
Jalwe ba'se hai shaahe madeena ke chashm me
Jannat ba'dosh e rehmat e maula kareeb hai
Ek raaz hai muhabbat e sarkar e do jahaañ
Sab kuch hai uska jisse ye souda kareeb hai
KHUSTAR Mubarak aapko jalwo ki dil kashi
Tum se bahaar e gumbad e khazra hai
______________________________________________________
                      Naat Sharif
Dayaar e shah e mohtaram dekh lete
Baharoñ ko bhi kam se kam dekh lete
Meri justu joo ye talab ka tha haasil
Ke Darbar e shah e ummam dekh lete
Teri dil kashi ko bahar e madeena
Zara waz ye mohtaram dekh lete
Saliika na aaya tawaaf e haram ka
Dar e shah ko jo na hum dekh lete
Sukoon e muhabbat ataa ho ta zaahid
Madeena khuda ki kasam dekh lete
Tere dar ka sadqa jinhe mil gaya hai
Unhe kaash sha'haane jam dekh lete
Teri buuye ulfat se gulzaar e taiba
Shifaa e mareez e al'am dekh lete
Jinhe dowlat e Ishq e sarwar mili hai
Hazaaroñ wo jor o sitam dekh lete
Karam mujhpe Aaqa ka itna toh hota
Rukh e pur ziyaa marte dam dekh lete
Bharam kaash rakh lete KHUSTAR ka Aaqa
Usse bhi ba-nazar e karam dekh lete
______________________________________________________
              Naat e paak
Sir pe faizan shaan e Risaalat rahe
Mere murshid ki chaukat salamat rahe
Meri veeraan duniya ho aabaad phir
Unke kadmoñ ki gar dil me barkat rahe
Phool khilte rahe mehfil-e-Ishq me
Josh par unka daryaa e rehmat rahe
Faiz badhta rahe tere Darbar ka
Maye' kashow par sada abre rehmat rahe
Murshid e ba-safaa shah Ahmed Raza
Hum gareebo pe unki in'aayat rahe
Shahe sidq o safaa dam kadam se tere
Gum zada har jagah ahle bidd'at rahe
Apne dar ke gulamo pe nazar e karam
Deen e Ahmed ki inse hifaazat rahe
Gum gumaye fiza jhum uthe zindagi
Yaad Aaqaye deeñ ki salamat rahe
Sir jhukaye raho is dar e paak par
Aoj par meri shaan e aqeedat rahe
Dowlat e Ishq se shaad kar dijiye
Jagmagaati hui meri kismat rahe
Shaahe har do Sara ek nigaah e karam
Door mujhse har ek ranj o kalfat rahe
Gam ke maaro ka maskan hai daaman tera
Mujhpe Aaqa hamesha in'aayat rahe
Nikhat e baag e taiba se abaad hu
Gulshan e dil ki kaayam ye azmat rahe
Jab madeene ki jaanib chale kaarwañ
Wajd karti meri kyu na kismat rahe
Aakhri hichkiya lu dar e paak par
Shoq e deedar mahu ziyarat rahe
_____________________________________________________
                 Naat Sharif
Nikhat e baag e taiba se aabad hu
Gulshan e dil ki kaayam ye azmat rahe
Jab madeene ki jaanib chale kaarwañ
Wajd karti meri kyu na kismat rahe
Meri mit'tyi na barbaad ho Ya khuda
Makh'zan e noor me ye amaanat rahe
Umar kat'ti rahe yaad e sarkar me
Khauf mujhko na Roz e qayamat rahe
Aakhri hich'kiya lu dar e paak par
Shoq e deedar mahu ziyarat rahe
Itna sadqa mile mujhko sarkar se
Door mujhse har ek ahle bidd'at rahe
Maqsad e zindagani ko paa jau maiñ
Khaak e taiba pe gar meri turbat rahe
Mehram e raaz e ulfat ka kya puchna
Door door usse shor e qayamat rahe
Meri mit'tyi na barbaad ho Ya khuda
Makh'zan e noor me ye amaanat rahe
Sir jhukaye rahooñ is dar e paak par
Wajd karti meri kyu na kismat rahe
Ho'oñ na ruswa baroze qayamat shaha
Dhondti mujhko shaane shafa'at rahe
Gungunaati fizaao me sajda kinaañ
Sir ho kaba ko dil su'ye hazrat rahe
Sajda'ye shoq ki laaj rakh lijiye
Meri puri namaze muhabbat rahe
Saaya afgan ho sarkar e Gous ul wara
Sir pe KHUSTAR ke taaj e faziilat rahe
______________________________________________________
USTAD E MOHTARAM QUDDUS SIRHU AZIZI KE DARBAR E RISAALAT ME HAZRI KE
PUR-NOOR MAUKE PAR IZHAAR E AQEEDAT....(Az-khushtar razvi)
Ho Mubarak tumhe jalwaye be-khudi sayyed ul mursaleen ke kareeb aagaye
Jaag ut'tha muqaddar gam e hijr ka, rehmat e dil naseehn ke kareeb aagaye
Ek nayi mehfil e dil sajai gayi aarzo'ow ki duniya basai gayi
Aaj pura hua maqsad e zindagi aaj husn e yakiin ke kareeb aagaye
Har qadam par bada jazba'ye bandagi husne subhe daraksha ne ki rehbari
Youñ sulooq-e-wafaa ko muqammal kiya youñ bahar e haseeñ ke kareeb aagaye
Rehmato ke khazeene hai jisme chupe aur roh-ul-ameeñ hai adab se khade
Sir jhukaye hai Arsh e bareeñ jis taraf us dayaar e haseeñ ke kareeb aagaye
Tera paigaam yaad e Habib e khuda , Teri baato me khushboo'ye khairul wara
Marhaba marhaba aye naseem e janaa , rehmato ki zameeñ ke kareeb aagaye
Har qadam par baharo ne sajde kiye, har nazar daastan e muhabbat bani
Raaz khulne lage jab maye' Ishq ke , raaz daare ameeñ ke kareeb aagaye
Zindagi wajd me raat o din wajd me, Teri aamad se shams-o-kamar wajd me
Sir jhukaye sir jhukaye ronaq e Anjuman , rashq e khuld e bareeñ ke kareeb aagaye
Khul gaye peech o kham raahe pur shoq ke nayyar'ye zo'fishaañ saamne aagaye
Jagmagaane lagi Ishq ki zindagi, waadi ab-zayeñ ke kareeb aagaye
Aaj KHUSTAR ka arman pura hua, dil nasheeñ ho gayi yaad e khairul wara
Phoont nikla muhabbat ka husn o wafa , aur khuld e bareeñ ke kareeb aagaye
______________________________________________________
                         Naat Sharif
Baharo ko dil ki lagan dhondti hai
Tumhi ko bahar e chaman dhondti hai
Sajaaya gaya nazhatoñ se gulistaañ
Utho aaj dil ki lagan dhondti hai
Ye gulshan ye nikhat gul o nastaran ki
Issi kehkashañ ki chalan dhondti hai
Basaaya gaya mehfil e dil me jisko
Wo khushboo ab apna watan dhondti hai
Ba-faiz e Raza saagar e Ishq e sarwar
Pilaado ke dil ki jalan dhondti hai
Tumhare hi dam se ye ranginiyaañ hai
Tumhi ko ye subhe chaman dhondti hai
Suqoon e muhabbat milega kab aakhir
Nigaahe tajassus wahi dhondti hai
Ziyaa e Raza dar talab se siwaado!
Yahi aaj dil ki lagan dhondti hai
Baharoñ ke jhurmut me KHUSTAR ko lelo
Akela hooñ barkhe mahan dhondti hai
___________________________________________________
 HAZRIYE DARBAR E SARKAR E DO AALAM (SALLAHU TAALA ALAIHI WASSALAMA) KE
PUR-NOOR MAUKE PAR
Suqoon e dil be-qarar Allah Allah
Habib e khuda ka dayaar Allah Allah
Madeene ka daar-ul-karar Allah Allah
Wo pur-noor lail-o-nihaar Allah Allah
Ziyaa-e-madeena ke jalwo se roshan
Hai jannat ke naqsh o nigaar Allah Allah
Wo Sunte hai sabki wo dete hai sabko
Ye ehsaan e parwar digaar Allah Allah
Salami ko haazir haiñ hai dar par firishte
Shab-o-roz sattar(70) hazaar Allah Allah
Shifaa jisse milti hai har dard o gam ki
Wo khushboo me mehka gubaar Allah Allah
Barasti hui rehmato ki ghataa'yeñ
Dua ka ijaabat se pyaar Allah Allah
Miti ab miti mere isyaañ ki zulmat
Nazar hogayi ashk baar Allah Allah
Mehakti hui shaam mushke khatan se
Wo subhe haseeñ lala zaar Allah Allah
Durood o salamo ke tohfooñ ko lekar
Hai haazir har ek jaañ nisaar Allah Allah
Wo qooy-e-uhad Ishq e Aaqa ka mazhar
Fidaa jispe jaan-e-bahar Allah Allah
Shafa'at ka waada hai roze qayamat
Abhi se gulamo pe pyaar Allah Allah
Qadam Uth rahe hai larazte jhi-jhakte
Hai be-khud sa har baadhe khawar Allah Allah
Sharab e muhabbat me masti ka aalam
Nigaahoñ me chad'ta khumaar Allah Allah
Hai zer-e-nageeñ Arsh ta farsh jinke
Madeene ke hai tajdaar Allah Allah
Mazeen hai Ishq e Habib e khuda se
Meri mehfil e qalbe zaar Allah Allah
Wo labbaik ki lab pe pyaari sadaayeñ
Nazar me haram ka wakaar Allah Allah
Gulamaan e darbar e sultan e do aalam
Zamaane ke hai tajdaar Allah Allah
Rihaa kardo KHUSTAR ko qaid e mehan se
Tumhara hai wo jaañ nisaar Allah Allah
______________________________________________________
 HARMAIN SHARIFAIN KI PAHLI HAAZRI KE MAUQE PAR MUMBAI ME AQEEDAT
MANDAAN E AHLESUNNAT NE PUR KHULUS ISTAQ BAAL ME MUBARAK BAADI PESH KI
THI ...(Az-khushtar razvi)
Mubarak ho tawaaf e khanae Kaaba Mubarak ho
Jabal e arfaat pe labbaik ka naaraa Mubarak ho
Madeene ki ziyaa, aye zaahir e bat'haa Mubarak ho
Hai jis jalwo pe dil betaab wo jalwa Mubarak ho
Nigaahoñ ko tumhari gumbade khazra Mubarak ho
Ye sauda hai agar sir zameen toh ye sauda Mubarak ho
Chaman kya hai jo Arbistaan ka sehra Mubarak ho
Hawaa ke sir zameen wajd aafzeeñ nagma Mubarak ho
Rasool e paak ki ulfat ho phir muqtasar dil me
Ye kuza hai toh is koze ko bhi daryaa Mubarak ho
Kaha ye Hind ki zulmat kaha jalwe madeene ke
Andheri raat me ye subhe ka tad'kaa Mubarak ho
Har ek zarra Arab ki raah ka suraj hi suraj hai
Ba-zarf e shouq tujhko deedaye beena Mubarak ho
Khudaai husn husn paalete hai har manzar me dil wale
Har ek go'sha ba-shakle jalwaye seena Mubarak ho
Jabal e arfaat ke sang reazye jo ke gohar hai
Tawaaf e har nazar ko azmat e kaaba Mubarak ho
Rasool e paak ki naalain e athar ke tasadduq me
Dayaar e paak ka har sang har zarra Mubarak ho
Nijaat e har bun muh hai ziyarat e paak e roze se
Zameer o dil ka ye be-daar aaina Mubarak ho
Jaha taqseer o rehmat ki nigaaheñ ek hoti hai
Ba-saate sang e aswad par wo ek boasaa Mubarak ho
Pahuch kar bargah e Mustafa me itna keh dena
Kabhi hum bad-naseebo ko bhi ye mauqa Mubarak ho
Idhar duniya tumhari hai waha udhar jannat tumhari hai
Yaha zam-zam waha kausar tumhe peena Mubarak ho
Jisse pee kar abu-bakar o umar ko wajd aaya tha
Wo meh-khaanye ki tumko sagar e sehbaa Mubarak ho
Yahañ ki ayesh o ishrat cho'dkar wallah aye RAZVI
dayaare e Mustafa me thokre khaana Mubarak ho
Salame shoqe AASIM ka kabhi chashme nam'se kehdena
Kabhi uski nazar ko bhi tera jalwa Mubarak ho
   (AASIM ASHRAFI)
______________________________________________________
              AQEEDAT KE PHOOL
                (MANQABAAT)
______________________________________________________
             MANQABAT E GOUS E AZAM
               (Radi allahu taala anhu)
Wilaayat ke maahe mubeeñ Gous e azam
Rasooloñ ke tum jaanasheeñ Gous e azam
Shab o Roz jalwe ho tere nazar me
Kat'tye yuñ hi umar e haseeñ Gous e azam
Ho bagdad o taiba ka faizan mujh par
Rahe dono mujhse kareeñ Gous e azam
Tumhe dekh kar dekhlu mustafa ko
Pilaa do wo jaame haseeñ Gous e azam
Chalo phir dayaar e Habib e khuda ko
Mile sadqa ye gyaarvi(11) Gous e azam
Barasta hai mujhpe baaraan e rehmat
Rahe mere dil me makeeñ Gous e azam
Nabi ke dulaare Hussain o hasan hai
Ho t unke noor e mubeeñ Gous e azam
Jhuka hai ye sir Teri azmat ke aage
Har zeerye kadam e jabeeñ Gous e azam
Mazeen hai jalwooñ se ab tak tumhare
Bahar e gulistaañ e deeñ Gous e azam
Na roothuñ zamanye ke jor o sitam se
Mujhe de dijiye wo yakeen Gous e azam
Shab e gam ki zulmat tassawor se tere
Hai sad rashq subhe haseeñ Gous e azam
Dar e magar ada'a se kaise wo banda
Ho tum jiske hasn e haseen Gous e azam
Bachaa lo mujhe unke shar o fitan se
Ke hai ghaat me haasadeeñ Gous e azam
Hai pesh e nazar Aalahazrat ka roza
Mile ho humme tum yahiñ Gous e azam
Raza saat ho aur Sher e Raza bhi
Ho jis dam dame waapseeñ Gous e azam
Madeena ho aye kaash ma-dafan hamara
Humme bhi mile wo zameeñ Gous e azam
Tassawor me ho tera Darbar e aali
Jhukaau jo sir mai kahi Gous e azam
Tumhare hi naqshe qadam chumti hai
Ye jannat ya khuld e bareeñ Gous e azam
Nabi ki niyaabat Ali ki karamat
Ho tum sabke beshaq ameeñ Gous e azam
Na dooba na doobe humara safeena
Ke hai na-khuda bil yakeeñ Gous e azam
Bahar e gulistaañ e mehboob e daawar
Tajal'li ye noor e mubeeñ Gous e azam
Chupa lenge KHUSTAR ko daman me apne
Tufaile Raza hai yakiñ Gous e azam
______________________________________________________
           MANQABAT E KHAWAJA E AJMER
                  (Radi allahu taala anhu)
Tere jalwo ki tabaani moinuddin Ajmeri
Hai mulqe Hind noorani moinuddin Ajmeri
Bahar e gulshan e usmaañ ata e sarwar e aalam
Sarwar e zok e irfaani moinuddin Ajmeri
Barasta hai madeene ka saqeena tere roze par
Hai dil jalwo se noorani moinuddin Ajmeri
Zaman e me hua mashoor aur maqbool taiba me
Tumhara Ishq e rabbani moinuddin Ajmeri
Kya karte hai sha'haane zamana ek middat se
Tere dar ki nigehbaani moinuddin Ajmeri
Tumhare naam ki khairaat bat'ti hai zamane me
Pilaa do jaam e irfaani moinuddin Ajmeri
Sata le jis kadar chahe mujhe gar'dish e doraañ
Hai chaarye saaz roohani moinuddin Ajmeri
Tere dar ki gadai hai badshaahi zamane ki
Faqeeri rashq e sultani moinuddin Ajmeri
Rihaai do gulaamoñ ko gam e duniya ke jhagdoñ se
Tumhari ho maherbaani moinuddin Ajmeri
Yahi hai raasta shahar e madeena par saqeena ka
Hai subho shaam noorani moinuddin Ajmeri
Madad ko aayiye ab jald tar apne gulaamoñ ki
Badi mojoñ me tegaani moinuddin Ajmeri
Na cho'dhe saat KHUSTAR ka rahe saaya figan sir par
Tumhara faiz e roohani moinuddin Ajmeri
______________________________________________________
           MANQABAT E KHAWAJA E AJMER
               (Radi allahu taala anhu)
Jannat e nishaañ da'rakshaañ khawaja ka aastaañ hai
Phooloñ Bhara gulistaañ khawaja ka aastaañ hai
Anwaar e Ahmadi se masroor haiñ dil o jaañ
Noor e Nabi se tabaañ khawaja ka aastaañ hai
Ishaaq paa rahe haiñ imaan ki ziya yeñ
Qalb o nazar me ruqsaañ khawaja ka aastaañ hai
Baqshi hai haq ne tumko ummat ki naa-khudaai
Bimaar e gam ka darmaañ khawaja ka aastaañ hai
Darbar e Mustafa se ummat pe haiñ ataaiñ
Saaya figan dar afshaañ khawaja ka aastaañ hai
Taiba na jaa sake jo khawaja ke dar pe aaye
Taiba ka ek gulistaañ khawaja ka aastaañ hai
Baqshi hai nemateñ sab Allah ne Nabi ko
Un nematoñ se zeeshaañ khawaja ka aastaañ hai
Mehki hui haiñ subheñ rangeen mehfil e haiñ
Mastiyoñ ka jaam e irfaañ khawaja ka aastaañ hai
Mujrim hooñ baar e isyaañ sir par lada hua hai
Baqshish ka meri saamaañ khawaja ka aastaañ hai
Rakhlo bharam humara daaman ka do Sahara
Mujrim haiñ jispe naazaañ khawaja ka aastaañ hai
KHUSTAR ki gam-gusaari dar se tumhare hogi
Khushyooñ ka meri saamaañ khawaja ka aastaañ hai
______________________________________________________
DARBAR E KHAWAJA GAREEB NAWAZ ME PUR KASISH         HAAZRI KA NAQSHA
          MANQABAT E KHAWAJA E AJMER
               (Radi allahu taala anhu)
Firdous e muhabbat ka naqsha nazar aata hai
uthta hua aankhoñ se parda nazar aata hai
Kuch rang muhabbat ka nikhra nazar aata hai
Kuch zor basaarat ka badtaa nazar aata hai
Le chal mujhe le chal jaldi se zara chal
Roza mujhe khawaja ka ujlaa nazar aata hai
Hasta nazar aata hai rota nazar aata hai
Rudaad e al'am kehta sheada nazar aata hai
Dewaana tumhara kuch machla nazar aata hai
Banta hua bigdi ka naqsha nazar aata hai
Le chal mujhe le chal jaldi se zara chal
Roza mujhe khawaja ka ujlaa nazar aata hai
Bimaar e muhabbat ko sarkar shifa dedo
Jeene ka sahara ho daman ki hawa dedo
Armaan bhare dil ko kuch apni dua dedo
Gulzaar e madeena ki lillah hawa dedo
Le chal mujhe le chal jaldi se zara chal
Roza mujhe khawaja ka ujlaa nazar aata hai
Pur dard sadaayeñ hai be-chain nigaaheñ haiñ
Roti hui aankhoñ me pur-noor shi-aayeñ haiñ
Kuch unki ataa'yeñ hai kuch meri wafa'yeñ hai
Dekho toh zara khawaja kya le ke hum aaye haiñ
Le chal mujhe le chal jaldi se zara chal
Roza mujhe khawaja ka ujlaa nazar aata hai
Nikhre hue gulshan pe rangeeñ samaañ chayaa
Rehmat ki ghataa uthi wo abre karam aaya
Khawaja ke gulaamoñ par Qudrat ko rahem aaya
Saaqi tere sadqe me phir daur'yeñ jaam aaya
Le chal mujhe le chal jaldi se zara chal
Roza mujhe khawaja ka ujlaa nazar aata hai
Pur-noor fizaa'yeñ ho rehmat ki ghata'yeñ hoñ
Har simt aqeedat ki mas'taana nawaa'yeñ hoñ
Jab mehfil e aqdas me tashreef wo laye hoñ
KHUSTAR ki sabhi Aaqa maqbool dua'yeñ hoñ
Le chal mujhe le chal jaldi se zara chal
Roza mujhe khawaja ka ujlaa nazar aata hai
______________________________________________________
                 DAURAAN E RUKSATI
        DARBAR E KHAWAJA GAREEB NAWAZ
                (Radi allahu taala anhu)
Nikhat e baag e taiba sughaana
mujhe khuld e bareeñ me bulana
Apna darbar mujhko dekhana
Mujhko jaldi se Aaqa bulana
Thak Chuka hai musaafir tumhara
Saqt bojhal hai aur gam ka maara
Isko toofan e gam se bachana
Mujhko jaldi se Aaqa bulana
Mehfil e shoq jab ho mazeen
Jalwa gar isme hoñ aap jis dam
Aye shaur haseeñ rang laana
Mujhko jaldi se Aaqa bulana
Baag e jannat ki ye saaf kyaari
Jisme nehre haiñ rehmat ki jaari
Tashnagi meri isse bujhaana
Mujhko jaldi se Aaqa bulana
Aap farzind hai Mustafa ke
Laadle ho shaheed e Karbala ke
Sharbat e deed mujhko pilaana
Mujhko jaldi se Aaqa bulana
Aap ka KHUSTAR be-nawaa hai
Raaz e dil se waaqif khuda hai
Dard e dil ko khudara chupana
Mujhko jaldi se Aaqa bulana
______________________________________________________
HUZOOR SAYYED AALE MUSTAFA MIYAÑ SADAR ALL INDIA SUNNI JAMIYAT-UL-
AOLAMA KE PAHLE URS E PAAK KE MAUQE PAR NAZRAAN E AQEEDAT
                               ....(Az-khushtar razvi)
Rehmat e haq ki bahar e jaaodaañ sayyed miyañ
Saaqi e Ishq e shah e har do jaañ sayyed miyañ
Naashr e deen e hasan aur faiz'yaabe panjatan
Faiz e jilaañ ki bahar e zo'fishaañ sayyed miyañ
Mazhar e barkaat o qasim aur acche miyañ
Kitne pyaaro ke ho tum pyaare sayyed miyañ
Nikhat e gulzaar e taiba sungte the aap se
Aapse aabad tha ye gulistaañ sayyed miyañ
Tumne baqshi thi humme yaad e shaheed e Karbala
Yaad karte hai tumhe ahle jahañ sayyed miyañ
Aabro'ye deen baccalii baand kar sir pe kafan
Usool e shabbir ka roshan nishaañ sayyed miyañ
Tergi kufr larzaañ thi tere naam se !
Haq paras'to ke the beshaq paasbaañ sayyed miyañ
Nagma'ye haq se mazeen thiñ tumhari mehfil'yeñ
Wajd aawar tha tera zoor e bayañ sayyed miyañ
Tumse khush the hazrat e Noori miyañ, acche miyañ
Tumse raazi tha khuda'yeñ do jahañ sayyed miyañ
Dekh lo apne gulaamoñ ko Zara chalan se phir
Dhondt'ye haiñ tumko har sou dil e tapaa sayyed miyañ
Baqsh dijiye dowlateñ izm o yakeen ki phir humme
Kar diya baatil ne hum ko naatawaañ sayyed miyañ
Jalwa'ye zebaa dekha do taalibaan e deed ko
Badh gaya had se bahut souz'ye tapaañ sayyed miyañ
Faiz hai ye aale haidar ka yakinan dosto
Unke dam se hai munnawar aastaañ sayyed miyañ
Apne KHUSTAR ko chipaalo apne daaman me huzoor
Dhoondti hai mujhe phir baad e khazaañ sayyed miyañ
______________________________________________________
HUZOOR SAYYED AALE MUSTAFA MIYAÑ SADAR ALL INDIA SUNNI JAMIYAT-UL-
AOLAMA KE WISAAL KE MAUQE PAR UNKE URS E CHAHAL'LUM(40) ME PADI GAYI
....(Az-khushtar razvi)
Al-wadaa aye jalwa e mehboob e subhaañ al-wadaa
Saaqi'ye Ishq e Nabi aye faiz e rehmaañ al-wadaa
Aye shaheed e raah e haq gulzaar e irfaañ al-wadaa
Dastgeer e Ahlesunnat faiz e jilaañ al-wadaa
Larz bar'andaam the baatil tumhare naam se
Aye shah e sidq o safaa shamsheer e aryañ al-wadaa
Mehfil e zikr e Nabi afsoos soni hogayi
Rehbar e noor e yakiin tafseer e Qurañ al-wadaa
Tum Hussaini fawj ke pyaare alambardaar the
Thi mazeen tum se ye shaam e gareebaañ al-wadaa
Al-wadaa aye aowso'we shaahe shaheed e Karbala!
Ruqsat aye sabr o riza aye jaam e irfaañ al-wadaa
Roz e mehshar saat lelena sabhi ahbaab ko
Saat ho acche miyañ salaar e zeeshaañ al-wadaa
Aam karke gulshan e barkaat ki fiya ziyaañ
Chal diye khuld e bareeñ mehboob e dawraañ al-wadaa
Jalwa e zeeba dekha do apne KHUSTAR ko huzoor
Dil ma'chal ke reh na jaaye shaam e hijraañ al-wadaa
______________________________________________________
      MANQABAT E MUJADID E DEEN O MILLAT
           SHAH IMAM AHMED RAZA KHAÑ
                        (ALAIREHMA)
Tum deen o millat ki ziyaa ya murshidi Ahmed Raza
Deen o imaan tumse Mila ya murshidi Ahmed Raza
Fatah o zafr ka Ishq e shah e konain ka!
Sir par tere sehra bandha ya murshidi Ahmed Raza
Tareeq e aalam mitti roshan hui subhe yakeen !
Jis waqt maine di sadaa ya murshidi Ahmed Raza
Kis tarah thea're zulmat e baatil tumhare saamne
Pur-noor hai seena tera ya murshidi Ahmed Raza
Husn o wafa se badh gayi gulshan ki tere dil kashi
Roshan hui raahe hudaa ya murshidi Ahmed Raza
Aye'waan e baatil deh gaye humle se tere Sher ke
Tera tha ye jood o saqhaa ya murshidi Ahmed Raza
Baatil ki jitni shoor sheañ tere dabaane ko uthiñ
Badhta gaya naara tera ya murshidi Ahmed Raza
Najdi ki himmat past ke baatil ki quwaat tod di
Tera hi tha ye hoslaa ya murshidi Ahmed Raza
Ho khaatma imaan par qayam rahu islam par
Har dam thi lab par ye dua ya murshidi Ahmed Raza
Noore mubeeñ ki taabisheñ sirta ba-qadam hai jalwagar
Rukh aap ka hai pur-ziyaa ya murshidi Ahmed Raza
Ishq e Rasool e paak par sab kuch nichaawar kardiya
Aain e deeñ se ki wafaa ya murshidi Ahmed Raza
Aye saaqi'ye Ishq e Nabi kar dijiye nazar e karam
Piyaasa hai kabse ye gadaa ya murshidi Ahmed Raza
Tere gulaamoñ ki jagah amjad nagar hasmat nagar
Har dard o dukh ki hai dawa ya murshidi Ahmed Raza
Kya puchna us khaak ka us raah ke zarraat ka
Jinko mila sadqa tera ya murshidi Ahmed Raza
Le lijiye kuch khidmat e islam o sunniyat ki huzoor
Sadqa janab e Gous ka ya murshidi Ahmed Raza
Khush hai aapse shahe deeñ aye raaze Qudrat ke ameen
Bhar dijiye daaman mera ya murshidi Ahmed Raza
Manjdaar e gam me aa phasa uthiye madad farmaiye
Ho paar ab bedaa mera ya murshidi Ahmed Raza
Chaai hai kaali badliyaañ phir dhoondti hai bijliyaañ
KHUSTAR ko daaman me chupaa ya murshidi Ahmed
Raza
_____________________________________________________
MANQABAT DARAKSHAN E IMAM E AHLESUNNAT
       AALAHAZRAT AZEEM UL BARAKAT
          (RADI ALLAHU TAALA ANHU)
Deen e haq ki ziyaa shah Ahmed Raza
Rehbar e ba-safaa shah Ahmed Raza
Mar'ate Mustafa aur Gous ul wara
Jalwa'ye haq numaa shah Ahmed Raza
Deen e islam ka bol o baala kiya
Aye shaheed e riza shah Ahmed Raza
Tere farmaan farmaañ jaan aafzeeñ
Raaz daare hudaa shah Ahmed Raza
Bargah e Risaalat ki talim thi
Teri ek ek adaa shah Ahmed Raza
Jagmagaata hua markaz e noor hai
Tera dars o faa shah Ahmed Raza
Kyu kar giraftaar ho bahre gam me kabhi
Banda'ye dar tera shah Ahmed Raza
Musquraata raha inqalabaat meñ
Naam lewa tera shah Ahmed Raza
Mushkil e hal hui kalfat e gam mitti
Mil gaya mad'daa shah Ahmed Raza
Jaam e irfaañ se phir shaad kar dijiye
Aapka hooñ gadaa shah Ahmed Raza
Fitna e najd ki shaan o shauqat mitti
Chaaq parda hua shah Ahmed Raza
Bhool sakte nhi Ahlesunnat kabhi
Tera dars o faa shah Ahmed Raza
Mo'jazaat e Risaalat ka izhaar tha
Naara'ye haq tera shah Ahmed Raza
Zulmat e shab me noor e sahr ki kiran
Aftab e hudaa shah Ahmed Raza
Har musiibat ki gam ki al'am ki dawa
Bosa'ye dar tera shah Ahmed Raza
KHUSTAR e be-nawaa be-sahara na ho
Sadqa e Mustafa shah Ahmed Raza
______________________________________________________
MANQABAT E MUJADID E DEEN O MILLAT SHAH                  IMAM AHMED RAZA
KHAÑ (ALAIREHMA)
Daaman e shah Ahmed Raza mil gaya
dowlat e jaaodaañ ka pata mil gaya
Khud khuda mil gaya Mustafa mil gaye
Jisko darbar tera shah mil gaya
Hai wo saccha gulam e shah e mursaleen
Jisko faizan e shah e Raza mil gaya
Sir wo unchaa zamane me hota raha
Jisko sawdaa'ye khairul wara mil gaya
Tere Darbar se teri sarkar se
Ishq e Aaqa e har do Sara mil gaya
Noor ne Teri chaukat ko baqsha sha'raf
Noor e Ahmed se noor e khuda mil gaya
Rehmatoñ barkatoñ ke khazeene liye
Shah e barkaat sa rehnumaa mil gaya
Mouj e toofan ne kashti ke chume qadam
Dastgeeri ko jab Naa-khudaa mil gaya
Zindagi yaad e sarkar me kat gayi
Haasil e Ishq qurbe khuda mil gaya
Kon cho'dega daaman ko Aaqa tere
Lazzat e Ishq ka jab mazaa mil gaya
Tere dar ke bikhari bane badshah
Mai kashooñ ko maqam e baqaa mil gaya
Saaf zaahir hua husn e qirdaar se
Tumko darbar e khairul wara mil gaya
Faiz KHUSTAR pe hai ba-yakeen aap ka
Khush nawaai se teri pata mil gaya
______________________________________________________
                GULSHAN E RAZA
Wajd karti zameeñ jhoomta aasmaañ
pyaari pyaari dagar pyaara pyaara samaañ
Husn ki ye zameeñ Ishq ka ye jahañ
Nisbat e qadri ka ye dil kash chaman
Ye barelli ye faiz e Raza ka chaman
Ye baharoñ ki masti guloñ ki phaban
Ye sitaaroñ ki duniya ye shamsho kamar
Ye muhabbat bhari zindagi ki sahar
Lazzat e Ishq me doobi doobi nazar
Musda'ye be-khudi dawat e Anjuman
Ye barelli ye faiz e Raza ka chaman
Ye baharoñ ki masti guloñ ki phaban
Faiz e Shere raza faiz e shahe Raza
Mar'ate Mustafa hai Jamal e Raza
Hai wisaal e khuda bas wisaal e Raza
Qibla e Ahle-deen markaz e ilm o fan
Ye barelli ye faiz e Raza ka chaman
Ye baharoñ ki masti guloñ ki phaban
Zindagi ko sha'oor e nazar dediya
Ashq tar deed'aye dard e dil dediya
Maut ke raaz se ba-khabar kar diya
Dowlat e sir madii nisbat e zeeñ chaman
Ye barelli ye faiz e Raza ka chaman
Ye baharoñ ki masti guloñ ki phaban
Maskan e be-kasaañ maaman e ahle dil
Aye maseeha'ye gam marham e zakm e dil
Raqs karti fizaao meñ khilte kunool
Paak bazaan e gulshan ka tarze sukhan
Ye barelli ye faiz e Raza ka chaman
Ye baharoñ ki masti guloñ ki phaban
Ye haseeñ shahraañ hai MASHOOD e hazeen
Dawat e Ishq deti hui ye zameen
Hai bahar e gulistaan e khuld e bareen
Raaz daare junooñ paasbaan e chaman
Ye barelli ye faiz e Raza ka chaman
Ye baharoñ ki masti guloñ ki phaban
______________________________________________________
    MANQABAT E SARKAR MUFTI AZAM E AALAM
MUJADID IBNE MUJADID WALI IBNE WALI SAQHI IBNE SAQHI PEER IBNE PEER SUFIIYE
BA-SAFAA HUZOOR MUSTAFA RAZA KHAÑ (ALAIREHMA)
Mazhar e shah Ahmed Raza aapki zaat hai naib'ye mustafa aap ki zaat hai
Naam hai aapka mustafa shah Raza markaz e pur-ziyaa aap ki zaat hai
Ahlesunnat pe hai saaya'e Mustafa ho muhaafiz ba-hukm e Raza
Jinse hai nehre faiz e Raza ki rawaañ wo sahab e ataa aap ki zaat hai
Jhoom utha hai ahle wafaa ka chaman hai mu'attar guloñ se har ek Anjuman
Sab me rangat hai husn e qamar ki nihaañ aur jalwa numaa aap ki zaat hai
Us bahar e gulistaañ ka kya puchna ke khusboo'ye khairul wara me basi
Hai mu'attar mu'attar namud e sahr rashqe mushqe khitaa aapki zaat hai
Aye hareef e wafaa aye shaheed e lakaa khol aankhoñ ko aur dekh jalwa zara
Jalwa gar hai yaha nikhat e Mustafa dowlat e be-bahaa aap ki zaat hai
Ye chaman ye naseem o tan ki phaban ye baharoñ me mehki hui Anjuman
Dowlat e Ishq ke hai haseeñ paasbaañ raaz daare wafaa aap ki zaat hai
Ye barelli ye ahle sunnan ka chaman Qadri rang hai faiz hai panjatan
Noor e subhe az'al hai yahañ jalwagar aur uski ziyaa aap ki zaat hai
Ek KHUSTAR ki hai aakhiri iltejaa hai muhaafiz khuda aap haajat rawaa
Apne daman se mehshar me lena chupa naaib e Mustafa aap ki zaat hai
______________________________________________________
                      MANQABAT
subhe mehkegi daraksha rukhe zebaa hoga
Faiz e Sarkar ka har simt nazar hoga
Be-qali gam-e-hijraañ le, Mubarak ho tujhe
Turbat e shah se taiba ka nazara hoga
Qasim e Ishq e NABI mufti-e-azam hoñ ge
Jalwa-e-GOUS se mamoor saraapa hoga
Nayyar'ye taiba ki pur-noor ziya'eeñ hoñgi
Raat din markade NOORI pe ujaala hoga
Jo gulam aapka sayyad-e-wala hoga
Dafan taiba me zaroor aisa dilaara hoga
Mujhse kab qalb o jigar ka mere sawda hoga
Sabz-gumbad ka mujhe kabse nazara hoga
Kis se leñge ye firishte mera amaal o hisaab
Tera KHUSTAR toh tere saaye me sota hoga
Saat ho MUFTI E AZAM ke agr SHER E RAZA
Rang-e-mehfil ka madeene me do-baala hoga
Dar pe haazir hai tumhare ye tumhara KHUSTAR
Jalwa'ye Gous ka kab isko nazara hoga
______________________________________________________
                      MANQABAT
Mustarib hu bahut dil pareshan hai
Aapki deed ka dil me armaan hai
Haiñ RAZA ko ziya'ee dar-e-mustafa
Jinka hai qalb e momin pe faizan hai
MUSTAFA ki riza hai khuda ki riza
Bas yahi ek musalmaañ ki pahchan hai
Hai ye rehaan, rehaan-e-Ahmed Raza
Gulshan e Mustafa unse zeeshan hai
Jalwa'ye Gous e azam hai AKHTAR miya
Inpe SARKAR E jilaañ ka faizan hai
Masnad e Aalahazrat Mubarak tumhe
Tumse masroor har dil hai aur jaan hai
phir yazeedi uthiye leke angdaaiyañ
Kya kisi karbala ka ye samaan hai
Bol bala ho haq ka tufaile RAZA
Jin pe sadqe hai dil jaan Qurban hai
Aur phoole phale khandaane RAZA
KHUSTAR e be-nawaa ka ye armaan hai
______________________________________________________
HUZOOR MUFTI E AZAM E AALAM QUDDUS SIRHU AZIZI KE JASHNE SAHAT KE MAUQE
PAR AQEEDAT KA NAZRAANA.....(KHUSTAR)
Dua tum iltejaa tum hasile har mad'daa tum ho
Tumhi se hai bahare aur baharo ki ziya tum ho
Ayaañ tumho nihaañ tumho mere dil ki ziyaa tumho
Mareez e dard e isyaañ ki dawaa tumho shifa tumho
Suqooñ milta hai tumse be-saharo gam-gusaaro ko
Panaa'e darde mandaañ mazhar e faze khuda tumho
Banaya hai tumhe Noori miyañ ne mashale Noori
Mazeen Jin se hai baage sunnan wo rehnuma tumho
Hai mehboob e RAZA beshaq tumhara chahne wala
Tumhare AALAHAZRAT, AALAHAZRAT ki Raza tumho
Shabi'ye AALAHAZRAT chehrae anwar se zahir hai
Jamal e hazrat e AHMED RAZA ka aaina tumho
Suroor o kaif me doobe hai Ahle bazm ye sunkar
Shifaa payi hai tumse ronaq e bazme safaa tumho
Ziya'ee gumbade khazra ke jalwe hai nigaahoñ me
Basaa'ye baag-e-taiba ki fiza'e pur-ziyaa tumho
Hai khush KHUSTAR tumhare damane rehmat ke saye me
RAZA ka mai'kada hai saaqi'ye haq aashna tumho
______________________________________________________
HUZOOR MUFTI E AZAM E AALAM QUDDUS SIRHU AZIZI KI WAFAAT HASRAT E AAYAT
PAR LIKHA HUA SALAM E AQEEDAT
Rehbar e duniya o deeñ tum par salam
Naaib e sultan e deeñ tum par salam
Aye Imam e aashiqiñ tum par salam
Naasha'ye deen e mubeeñ tum par salam
Mehram e asraar e deeñ tum par salam
Haamil e ilm e yakeen tum par salam
Aur ziya e deen e paak e Mustafa
Ronaq e gulzaar e deeñ tum par salam
Mufti e azam janab e Mustafa
Parta'we noor e mubeeñ tum par salam
Saaqi'ye Ishq e shahe har do Sara
Fazl e Rabbul Aalamin tum par salam
Bargah e Mustafa ko chal diye
Jaanasheen e kamileen tum par salam
Khandaane Aalahazrat ki ziya
Aabro'ye ahle deeñ tum par salam
Hazrat e Noori miya ki dean thi
Aashiq e sarkar e deeñ tum par salam
Kya azeemush'shaan tha tera maqaam
Hum shabi'ye moiuddin tum par salam
Aye gulam e sarwar e har do jahañ
Nikhat e khuld e bareeñ tum par salam
Thi mehrameñ haseeñ bazm e wisaal
Chodwi ke meh jabeeñ tum par salam
Bhejta hai bargaahe paak me
KHUSTAR andh wo geeñ tum par salam
---------------------------------------------------------------------------------------
          MURSHID E BA-SAFAA KI CHADAR HAI
murshid e ba-safaa ki chadar hai
Nayi'be Mustafa ki chadar hai
Rehmat e haq hai jiske jalwo me
Ye ussi khush laqaa ki chadar hai
Isko chumo! Saro par bhi rakho!
Murshid e haq numaa ki chadar hai
Nayi'be Mustafa wo hasmat Ali
Ye ussi peshwa ki chadar hai
Qaadri mai'kada ke saaqi hai
Yani sher e Raza ki chadar hai
Hasmati jaam Qadri meena
Faiz e Ahmed Raza ki chadar hai
Maahe taiba ke paak jalwo se
Faiz yaabe ziya ki chadar hai
Aalahazrat ke mazhar e haq ki
Kya nirali Ada ki chadar hai
Gous o khawaja ke faiz e rehmat se
Shaan e Sher e Raza ki chadar hai
Ye bachayegi shor e mehshar se
Rehmat e Mustafa ki chadar hai
Thaam lo jald iske daman ko
Wasle noor e khuda ki chadar hai
Dastgeeri karegi beshaq ye
Faiz e Gous ul wara ki chadar hai
Haq ko batil se jisne paak kiya
Ye ussi rehnuma ki chadar hai
Kyu na jal jaye gaiz me najdi
Kaashif e har khata ki chadar hai
Range haseen se mazeen hai
Noor e khairul wara ki chadar hai
Jaam e irfaañ ko peene aaye hai
Saaqi'ye haq numaa ki chadar hai
Mushkil e hal na kyu ho hum sabki
Faiz e Sher e Raza ki chadar hai
Tum ko sher e Raza Mubarak ho
Tum pe Gous o Raza ki chadar hai
Saaya afgan hai jo ke KHUSTAR par
Wo tumhari ziyaa ki chadar hai
______________________________________________________
               BAHAR E CHAMAN
Chalo manzilo ke nishaañ dekh aaye
Baharo ke izme jawaañ dekh aaye
Mehakta hua gulsitaañ dekh aaye
Sawarta hua kaarwañ dekh aaye
Tulu'we sahar ye muhabbat ke jalwe
Hai saaz e nafs nagma khawañ dekh aaye
Jinhe jus'tuju ho bahar e karam ki
Chale hasmati aastaañ dekh aaye
Jahañ jalwa figan fiyoz e Raza haiñ
Wo phooloñ Bhara gulistaañ dekh aaye
Suna hai suqoon e muhabbat milega
Chal uth shor e rash dil tapa dekh aaye
Teri deed hi daulate zindagi hai
Karam tera aye meharbañ dekh aaye
Wo jaam e sharab e haseen aaj saaqi
Pila do ke baag e jinaa dekh aaye
Ye makhmoor nazre ye uthti ghata'yeñ
Ubharte chaman ke nishaañ dekh aaye
Naweed e khushi Ahle mehfil ko dedo
Hai betaab taab o tawaañ dekh aaye
Ye faiz e muhabbat hai saaqi ke dam se
Zameen par rahe aasmaañ dekh aaye
Musar'rat ki karwate tabassum ki mauje
Wo duniya e aman o amaañ dekh aaye
Munnawar munnawar bahar e chaman ko
Chal uth KHUSTAR nagma khawañ dekh aaye
_____________________________________________________
         DAYAAR E MURSHID E BAR HAQ
Dayaar e aashiq e khairul anaam aata hai
Suqoon e qalb ka pyaara maqaam aata hai
Jo tishna kaam hai Ishq e shahe do aalam ke
Khud unke waaste gar'dish me jaam aata hai
Tumhare roza ye anwar pe jo bhi hazir ho
Khushi se jhoom kar wo shaad kaam aata hai
Pukaar uthegi firdous dekh kar mujhko
Wo dekho sarwar e deeñ ka gulaam aata hai
Tumhare roza e aqdas pe murshid e bar-haq
Gulam ban ke har ek khaas o aam aata hai
Pukara jis ne tera naam leke mushkil me
Gamo se chut ke wahi khush kharaam aata hai
Tumhare Ishq o muhabbat me jo hua betaab
Ussi ko rehmat e Rab ka payaam aata hai
Chupa lo daman e rehmat me apne KHUSTAR ko
Nhi toh daftar e isyaañ me naam aata hai
_____________________________________________________
      MANQABAT E SARKAR SHER E SUNNAT
faiz e Sher e Raza hai chaman dar chaman
Noor o nikhat saro par hai saaya figan
Kitni pur-noor hai aapki Anjuman
Sar pe faizan e murshid hai saaya figan
Roza'ae shaahe khairul bashar ki ziya
Hai yakinan yaha aaj jalwa figan
Hai madeene se mazboot rishta tera
Aye muqaddas zameen aye muqaddas chaman
Murshid e ba-safaa shah Ahmed Raza
Jalwa gar hai yaha saat hai panjatan
Gous ka hai karam aur khawaja ka bhi
Tum se masroor hai saare ahle sunnan
Jalwa'ye yaadgar e Raza dekh kar
Hai musar'rat me doobi hui Anjuman
Qaadri faiz hai jalwa gar har taraf
Noor e subhe az'al se hai roshan chaman
Phool jannat ke hai jo ba-qol e Nabi
Hai unhi se mu'attar tumhara kafan
Haat faila hai KHUSTAR ka darbar me
Bheek dedo tufaile shafee'ye zaman
______________________________________________________HUZOOR MUFTI E AZAM
ki pur-soz e rehlat par "AQEEDAT KA" nazraana
Nayyar'ye azam ameer e kaarwañ jata raha
Faqre millat nazesh e Hindustaañ jata raha
Haadiye raahe hudaa aur nayab e khairul wara
Gulshan e Noori miya ka baagbaañ jata raha
Tere uth Jane se sooni ho gayi Anjuman
Mehfil e zikr e Nabi ka nagma khawañ jata raha
Tere dam se thi munnawar shah raahe maarfat
Aaj ye anwaar o rehmat ka jahañ jata raha
Apne KHUSTAR par nigaahe lutf ab farmaiye
Iske armaano ka zebe daastaañ jata raha
______________________________________________________
         MANQABAT E IMAM E AHLESUNNAT
 Bharosa hai Humme dono jahañ me Aalahazrat ka
Dilo par naqsh hai roza imam -e- Ahlesunnat ka
Chute sarkar ka daman gawara hi nhi hum ko!
Sabaq hai ye mere Aaqa-e-naimat Aalahazrat Ka
Mareez e ishq e naaza hai yahañ apne muqaddar par
Shifa e dard e dil hai raaz panhañ hai muhabbat ka
Madeena masqan e Aman o amaañ hai ishq walo ka
Hai darbar e Raza ek raasta us shehar e Rehmat ka
Adab lamhooz rakho aur nazare dekhte jao
Ye hai darbar khaas ek hind me shaan e shariyat ka
Ziya e kaleer o ajmer hai Makka madeena hai
Raza ka faiz guldasta hai gulzaar e aqeedat ka
Hai taqseem maye Irfaañ pe faa'iz Mufti e azam
Khula hai aaj maikhana mere Aaqa-e-naimat ka
Mazeen hai, hai ye urs e Qadri anwaar e taiba se
Nazara karlo ab dil khol kar gulzaar e jannat ka
Faqeero be'nawao, aao aao jholiya bharlo
Muraad e dil milegi aam hai faizan Rehmat ka
Khuda ka fazl hai saya figan aye gardish e dawraañ
Nhi khatka Raza walo ko ab Roz e Qayamat ka
Saro par saaya afgan hazrat e Acche miyañ bhi hai
Daraksha hai sitara aaj mere husn e Qismat ka
Munawwar hai tere KHUSTAR ka seena noore khawaja se
Raza ke faiz se siqqa hai ye unki hukumat ka
______________________________________________________
                   FAIZAN E AQEEDAT
nawazish unki jitni mujh pe har dam hoti jati hai
Teri tasweer dil me aur ahkam hoti jati hai
Tumhare ro'aye tabaañ ka nazara karta rehta huñ
Mareez e ishq ki dewaangi kam hoti jati hai
Munawwar zindagi ki sha'haraayiñ hoti jati hai
Andhere ghar ki zulmat khud ba-khud kam hoti jati hai
Sajaya hai baharoñ se kisi ne mehfil e dil ko
Mazeen unki aamad se ye peham hoti jati hai
Chale aao baharoñ me bahar e jaañfizaa bankar
Tumhari deed phir zakhm ka marham hoti jati hai
Ye kiska aastaañ aaya ye kiska meqada dekha
Jabeen e shoq meri khud ba-khud kham hoti jati hai
Tumhi hote ho ab jalwa numa har su fizaaoñ me
Meri hasti kisi tasweer me gum hoti jati hai
Karo seeraab ab mujhko sharab e ishq e Ahmed se
Ke phir Joshe talab me aankh pur-num hoti jati hai
Tumhare dar se hoti hai ziyarat Gous e azam ki
Ayaañ sab shaan e sarkar e do aalam hoti jati hai
Ye faizan e karam hai mujhpe mere Aalahazrat Ka
Hai larzaañ zor e baatil tergi kam hoti jati hai
Hai khush KHUSTAR tumhare daman e Rehmat ke saaye me
Tumhari yaad dard e dil ka marham hoti jati hai
______________________________________________________
          MANQABAT E SHER E RAZA
Marhaba aagaya urs e shere Raza haiñ gulstaañ me yuñ bulbule nagmazan
ta-qayamat rahe yuñ bahare aafzeñ ilm o irfaañ ka ye lehlahata chaman
Faiz e shahe madeena ka hai ye asr dekhiye jagmagate hai diwaar o dar dekhiye
Noor o nikhat me duba hai HASMAT nagar barish e noor karta hai chiraag e kahan
Nagma e manqabat chedta hai koi aur koi gungunata hai Naat e Nabi
Mast ho ho ke sunte hai shaikho jali zikr e sarkar ki hai sajii anjuman
Azmat e saahib e urs dil me liye aehtaraman nigaahoñ ko neechi kiye
Kis adab se aqeedat ki dali liye hazir e astaana hai ahle sunan
Saare lahu o lab se ye mehfooz hai ehtaraam e shari kitna lamhooz hai
Aur har aane wala bhi mehfooz hai koi dekhe toh is urs ka baankchan
Nikhatoñ se muattar ye gulzaar hai aashiq e Shahe deeñ ka ye darbar hai
Boye ishq Nabi inki sarkar se maangne aaye haiñ nargis o yaas'man
Mere murshid ki chaukhat salamat rahe faiz jaari yuñ hi ta-qayamat rahe
Hai JALIL e khatakaar ki ye dua karle maqbool aye khaliq e zoloman
______________________________________________________
* FARYAAD BA-DARGAH E SHER BE-SHE AHLESUNNAT*
Wasif e badrudduja faizan e Imaañ
Naaib e khairulwara anwaar e rehmaañ
Aashiq e Gous ul wara faizan e jilaañ
Mazhar e Ahmed Raza shamsheer e baraañ
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
Aapke faizan ki shere Raza koi na had
Har Bala har gam ko Aaqa aap kar dete hai rad
Najd ki she'rag pe padti thi hamesha Teri zid
Leke taig-e-haidari phir aayi'ye kijiye madad
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
Aapke darbar me yak sa hai saare neak o bad
Deen e Ahmed ke liye thi aapki jad o jahad
Firqa e batil ka karte the hamesha aap rad
Jaan dekar aapne ucha kiya naam e uhad
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
Aapne toda hamesha ahle batil ka guroor
Shesha e bad-mazhabiyat kar diya hai chur chur
Naam sunkar aapka khud tergi hoti hai duur
Mehfil e Ahmed Raza ki jagmagati sham-e-Noor
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
Mash'al e raahe amal par aapka pukhta asool
Aapke faiz e karam se khaar banjate hai phool
Sarmaye chasme baseerat aapke qadmo ki dhool
Chasme Rehmat se meri nazre aqeedat ho qubool
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
Wasta Gous ul wara ka kijiye ab shaad kaam
Wasta Ahmed Raza ka suniye ab arz e Gulaam
Muskuraaye subhe taza aur kate furkat ki shaam
Hind se jaau madeene kijiye kuch intezaam
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
Hai MUSHAHID aur ye MASHOOD baagban e Hasmati
Kyu na phir phoole phale ye gulsitaan e Hasmati
Hoga manzil e aashna ye kaarwaane Hasmati
Sarkhuruñ hoge jahañ me khaadmaane Hasmati
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
Phir madad darkaar hai aye Sunniyat ke taajdar
Gulshan e Ahmed Raza me aapke dam se bahar
Aapki zaat e giraami be-kararoñ ka karar
Ab khabar lijiye khudara kah rahe hai bar bar
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
Aye mere mushkil kusha suniye rudaad e alam
Naao hai tufaan me ghere hue hai ranj o gam
Ek muddat se hai MAAHIR bhi talabgaar e karam
Ye madad ka waqt hai aye naaib e khairul-umam
Al-madad Ya Sayyadi Shere Raza khañ Al-madad
______________________________________________________
                  MANQABAT
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Sadma e hijr se dil pareshan hai
Aapki deed ka dil me armaan hai
Chasme guryan hai ashko ka tufaan hai
Hazrat e shah Hasmat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Ahle haq o sadaqat ko chamkaar te
Dushmanan e Risalat ko lalkaar te
Najdiyat ke shugaaloñ ko dihtkaar te
Hazrat e Sher e sunnat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Muzda e fateh mubeen ka sunate hue
Sunniyo ke dilo ko lubhate hue
Saif e imaañ ke johar dekhate hue
Gazi e deen o millat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Wo dalail ke moti lutate hue
Wo mazameen ke darya bahate hue
Geet Aaqa ki azmat ke gaate hue
And-laibe Risalat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Mazbat e ilm e gaib e Habib e khuda
Nuqta'ae banah maqamaat e bazme Dana
Rehbar e jaade azmat e MUSTAFA
Taajdar e khitabat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Ahle haq ko gale se lagate hue
Aur batil ko thokar lagate hue
Raaz e ulfat jahañ ko tabate hue
Manba'ye ilm o hikmat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Shorshen kufr o batil ki uthti hai phir
Aandhiya zulmat ki chalti hai phir
Hasrate har taraf takti hai phir
Nasir e deen o millat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Soni soni si hai bazm ki ronakeñ
Ab kaha wo zabañ wo bayañ mehfileñ
Yaad hai aaj tak aapki shafkateñ
Faiz baqsh e muhabbat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Dijiye daulat ilm o irfaan ki
Gous e azam ke pur-noor faizan ki
Tal'ate jagmaga jaye imaan ki
Faizyaab e Risalat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Aapki shaan se shaan e imaan thi
Aap me bu'ae sakar e zeeshan thi
Najdiyat har taraf se pareshan thi
Fateh e Ahlesunnat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Kitna pur-noor hai aapka aastañ
Jagmagata hua ishq ka gulsitaan
Arz karta hai MASHOOD E KHUSTAR BAYAÑ
bahre deedaar e hazrat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Dobti kashtiyo ko kinara mile
Gamzadoñ ko khudara sahara mile
Markad e paak se kuch ishara mile
Na-khuda e sadaqat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Muntazir hai khatib unke deedaar ka
Baqsh dete the ishq jo sarkar ka
Ho karam aaj toh mujhpe sarkar ka
Saaqi jaam o huddat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye
Aashna tumse the ahle haq o yakeen
Naaz karte the tumpar sabhi ahle deen
Leke ajayiye faiz e sultan e deen
Nashr e deen o millat chale aayi'ye
Mazhar e Aalahazrat chale aayi'ye
Naashra e deen o millat chale aayi'ye