Tally Me Payroll Kya Hai?
Jankari In Hindi
Payroll Kya Hai?
Payroll Ek Aisa Program Hai Jiske Jariye hum Apni
Company/Organization Me Work kar Rahe Workers Ka
Attendance Register Create kar Sakte Hai.
Attendance Register Means Ki kaun Sa Worker Kab Work par Aa
Raha Hai, Wo Worker Kis Time Par Work Par Aata Hai, Us
Worker Ki Monthly Kya Salary Hai, Us Worker Ka Address Kya
Hai, Us Worker ka Naam Kya Hai Etc Matalb Ki Hum Us worker
Ki Sari Information Ko payroll Ke Jariye Tally Me Record Kar
Sakte Hai.
Payroll Ke Jariye Hum Apne Office/Company Me Work Kar Rahe
Employees Ki Salary Ka Ek Management Ready Karte Hai. Payroll
Ko Hum Tally ERP 9 Aur M.S Excel in Dono Ke Jariye Create
Kar Sakte Hai.
Payroll ka USe Kya Hai?
Tally ERP 9 Me Jis Tarah Hum Inventory Me Stock Group, Stock
Items Ko Create Karte The Inventory Ke Management Ke Liye
Theek Usi Tarah Hum Payroll Me Bhi Ek Group Create Karege
Employee Ka, Employee Ke Management Ke Liye, Ki Us Employee
Ka Naam, Address, Age, D.O.B, Uski Salary Details Kya Hai?
Employee Ne Kitne Days Ki leave Li Hai, Employee Ne Kitne Din
WorkKiyaa, Aur us Employee Ki Total Salary Kya Banti Hai, Us
Employee Ki Salary Se Kitna TDS kata Ye Sabhi Work Hum
Payroll Ke Through Tally ERP 9 Me Karte Hai.
Tally Me Payroll Ko Kaise Active Kare?
Tally ERP 9 Me Payroll features Ko Active Karne Ke Liye Kuch
Simple Steps Ko Follow Kare? Aaiye Jante Hai.
STEP:1 Sabse Pahle Aapko Gateway Of Tally Me Niche right Side
Me Features (F11) Show Kar Raha Hai Aapko Us Par Click
Karna Hai, Ya Toh Aap Apne Keyboard Se (F11) Press kare
STEP:2 Ab Aapko Accounting Features(F1) Show Hoga.Aap
accounting Features Par Click Kare.
STEP:3 Ab Aapke Samne Accounting Features Ki Menu Show Ho
Jaegi, Payroll Features Ko Active Karne Ke Liye Aapko Cost/Profit
Center Management Me Aapko Maintain Payroll ka Option
Dikhai Dega
Aapko Is Option Ko YES Karna hai Aur Uske Baad Aapko Usi Ke
Niche Maintain More Than Payroll Or Cost Category Ka Option
Dikhai Dega Aapko Is Option Ko Bhi YES Karna Hoga Aur Uske
Baad Aapko Payroll Setting Ko YES Karke Save Kar Lena hai
STEP:4 Ab Aap Gateway Of Tally Par Aaye, Aapka Payroll Feature
Active ho Chuka hai.Ab Aap Payroll Ko Aasani Se Tally me Create
Kar Sakte Hai.
STEP:5 Aapko Gateway Of Tally Me Payroll Me Entry ko Post
Karne Ke Liye Payroll Voucher ka Option Bhi Milta Hai, Jis Se Aap
Payroll Me Salary Se Related Entry Jaise Salary Paid etc Ki Entry
Ko Aasani Se Post Kar Sakte Hai.
Payroll Me Hum Kya-2 Kar Sakte Hai? Payroll
Overview
Payroll Ke Jariye Tally ERP 9 Me Hume Kya-2 Function Milte hai
Aaiye Un Sab Ke Bare Me Aapse Kuch Discuss Karte Hai.
                  Payroll Info Details:-
1:- Employee Categories:- Isme Aap Employee Ki categories Ko
Alag-2 Create Kar Sakte Hai, Ki Kaun Sa Employee Kis Categories
Se belong Karta Hai.
2:- Employee Group:- Isme Aap Employee Ka Alag-2 Group Create
Kar Sakte Hai.
3:- Employee:- Isme Aap Apne Sare Employee ko Create Kar Sakte
Hai.
4:- Units(Works):- Isme Aap Employee Ke Liye unit Create Kar
Sakte Hai, Ki Kis Employee Ne Kitne Hours Work Kiya Hai.
5:- Attendance Production Type:- Isme Aap Apne Employee Ke
Liye Attendance Type Ko Create Kar Sakte Hai.
6:- Pay Heads:- Isme Aap Employee Ke Liye pay Heads Create Kar
Sakte Hai Ki Like- T.A, D.A, P.F, ESI Etc Etc
7:- Salary Details:- Aap Apne Employee Ki Salary Details Ko
Create Kar Sakte Hai, Aur Unko Check Kar Sakte Hai.
8:- Voucher Types:- Aap Apni Marji ka Koi Bhi Voucher Types
Entry Ko Post Karne Ke Liye Create Kar Sakte Hai.
          Some Other Details In payroll Click This Link:-
Payroll Ki Aur Janakri Ke Liye Aap Is Link par Click Karke Sabhi
Jankari Ko Padh Sakte Hai.
     Payroll Features Click Link:-Payroll Features
     Payroll:-All Features Of payroll
Tally Me Payroll Kaise Banaye? Puri
Jankari Step By Step.
Payroll Se Related Sabhi Jankari Aaj Mai Batuga Ki Tally ERP 9
Me Payroll Ko Kaise Banaye, Kyuki Tally Me Payroll Create Karne
Ke Liye Aapko Ek-2 Chij Jaise groups Employee, Unki salary
Details, Pay Head Wagara Sabhi Kuch Create Karna Padta Hai.
Mai Aapko Ye Sab Creation Step By Step Batauga Jis Se Aapko
Payroll Create Karne Me Koi Problem Na Aaye Isliye Aap In Steps
Ko Step By Step Follow kare.
Tally Me Payroll Banane Ke Liye Aapko Kuch Steps
Ko Follow Karne Padege.
STEP:-1 Sabse Pahle gateway Of Tally Me Payroll Info Me Jakar
Click Kare.
STEP:-2 Payroll Info Me Aapko Kai Sare Options Milte Hai Like-
Employee categories, Employee Groups, Employee, Unit(Works),
Attendance/Production Types, Pay Heads, Salary Details, Voucher
Types Etc. Aaiye Hum Ek-2 Karke Sabhi Options Ko Discuss
Karege Aur Ek-2 Items Ko create Karege
                  .
Payroll Me Employee Categories Kaise Create Kare?
Payroll Me Employee Categories Ko create Karne Ke Liye Kuch
Simple Steps Ko Aapko Follow Karne Padege.
STEP:1- Sabse Pahle Employee Categories Ke Option Par Jaye Aur
Create Ke Option Par Jakar Simply Click Kare
        .
STEP:2- Ab Aapke Samne Employee Category Creation Ki Menu
Open Ho Jaegi, Aapko Jis Name Se Category Create Karna Hai,
Aap Apni Marji Ke According Create Kar Sakte Hai. Maine Yaha
Employee Category Me Employee Naam Ki category Create Ki Hai,
Aap Apni Marji Ke According Create Kar Sakte Hai. Allocate
Revenue Items ko Yes Kar De, Aur Allocate Non-Revenue Items Ko
No Karke Employee Category Ko Save Kar Le.
Payroll Me Employee Groups Kaise Create Kare?
Employee Groups:- Employee Groups Means Aapki Company/Firm
Me Jo-2 Bhi Labour Work Karte Hai, Un Sabka Ek Alag-2 Group
Banana hi Employee group Kahalata Hai. Example:- Suppose
Hamari Company hai, Aur Hamari Company Me Alag-2
Departments Groups hai. Jaise Engineering Department, Accounts
Department, Sales Department, R&D Departments Etc. To Humne
har Ek Department Ke Liye Ek Alag Group Create Kiya Hua Hai:-
Sale Group, Accounts Groups, Engineering Groups, R&D Groups
Etc.
Payroll Me Employee Groups Create Karne Ke Liye Kuch Simple
Steps Ko Follow Kare.
STEP:1- Employee Groups Create Karne Ke Liye Aapko Employee
Group Ke Option Me Jaye Aur Create Ke Option Par Simply Click
     Kare.
STEP:2- Ab Aapko Employee Group Creation Ki Menu Show Hogi.
Yaha Hum Alag-2 Departments Ke Liye Alag-2 Groups Ko Create
Karege. Aaiye Create Karte Hai.
Sales Department Ke Liye Sale Group Create Karege.
     Category:- Category Me Aapne Jo Employee Category Create
      Ki Hui Thi, Usko Select kare.
     Name: Name Me Jo Group create Karna Hai, Uska Naam
      Fillup Kare. Yaha Humne Sales Groups Ke Naam Se Ek
      Group Create Kiya Hai.
     Under:- Under Me Aap Primary Ko Select kare.
     Use Salary Details:- Isme Aap No Hi Rakhe.
Sari Details Fill karne Ke Baad Yes Ke Option par Click Karke
Group Ko Save Kar Le.
      Accounts Department Ke Liye Account Group Create
                          Karege.
   Engineering Department Ke Liye Engineering Groups
                     Create Karege
  R&D Department Ke Liye R&D Group Create Karege.
Payroll Me Employee Kaise Create Kare?
Employee:- Hamri company/Firm Me Jitne Bhi Employee Work
Kar Rahe Hai, Unki Sabhi Details Jaise Unka Naam, Address,
Documents, Aadhar Card, Mobile No Etc Ko Feed Karne Hame
Payroll Me Employee Create Karte Time Karna Padta Hai, Tabhi
Toh Hamko Apne Employees Ki Details Ki Knowledge Hogi.
Payroll Me Employee Ko Create Karne Ke Liye Aapko Kuch
Simple Steps Ko Follow Karne Padege.
STEP:1 Employee Create Karne Ke Liye Aapko Employee
Ke Option Me Jana Hoga Aur Simply Create Ke Option Par Click
Karna Hoga
STEP:2 Ab Aapke Samane Employee Creation Ki Menu Open Ho
jaegi, Aapko Yaha Par Employee Ki Sabhi Details Ko Fillup Karna
Hoga. Aaiye Dakhte Hai.
            Employee Creation
Employee Details ko Fillup Karne Ke Liye Follow kare.
     Category:- Yaha par Aapko Employee Ki Category Ko Select
      karna Hai, Yaad hai Suru mai Hi Humne Employee Ki Ek
      Category Create Ki Hui Thi, Apko Us Employee Category Ko
      Select karna Hai.
     Name:- Name Me Aapko Employee Ka Pura Naam Fillup
      Karna Hai.
     Display Name Is Report:- Report Me Kya Display Ho Us Naam
      Ko Fillup Kare.
     Under:- Under Me, Aapko Kis Group Ke Under Is Employee
      Ko Rakhna Hai Usko fillup Kare, Jaise Humne Nitesh Naam
      ka employee Create Kar Rahe Hai Toh Isko Un Accounts
      Groups Ke under Rakhege.
     Date Of Joining:- Employee ki Date Of Joining Kab Se Hui
      Hai Us Date Ko Hum Fillup Karege.
     Define salary Details:- Salary Details Ko Firhall Abhi No Hi
      Rakhege.
     Employee Number:- Har Ek Employee Ka Apna Ek Alag
      Nuber hota Hai, Aapko Us Employee No Ko Fillup Karna
      Hoga.
     Designation:- Employee Ki Designation Kya hai Usko Aapko
      Yaha Par Fillup Karna Hoga.
     Function:- Aapki Company Me Wo Employee Kya Work
      Karta Hai Usko Yaha par Fillup Kare.
     Location:- Employee Ki Kya Location Hai, Wo Kis City Se
      Belong Karta Hai Usko Yaha Par Fillup Kare.
     Gender:- Gender Male/Female Ko Select Kare.
     Date Of Birth:- Employee ki date Of Birth Ko Fillup Kare.
     Blood Group:- Employee Ka Blood Group Select Kare.
     fathers Name:- Employee Ke father Ka Pura Naam Fillup
      Kare.
     Address:- Employee Ka Pura Address Ko Fillup Kare.
     Phone Number:- Employee Ka Phone Number Fill Kare.
     Email Address:- Employee Ka Email Address ko Fillup Kare.
     Income Tax Number PAN:- Employee Ka PAN Card Number
      Ko Fillup Kare.
     Aadhar Card:- Employee Ka Aadhar Card Number Fillup
      Kare.
     PF Account No:- Employee Ka PF Account Number Ko Fillup
      Kare.
     ESI No:- Employee Ka ESI No Fillup Kare.
Sari Details Ko Fillup Karne Ke Baad Yes Par Click Karke Save
Kar Le, Aapne Successfully Employee Create Kar Liya Hai.
Ek Employee Aur Create Karte Hai Jo Ki Engineering Group Ka
Hoga.
Payroll Me Unit(Work) Kaise Create Kare?
Unit(Work):- Unit Hum Payroll Me Isliye Banate Hai, Jis Se Hum
Employee Ko Suppose Usko Overtime Use Pay Karna Ho Toh Wo
Hum Production Ke According Pay Kar Sakte Hai.
Firhal Unit Kis Bhi Vastu Ko mapane Ke Liye Use karte Hai, Alag-2
Vastuvo Ke Liye hu Alag-2 Units ka Use Karte Hai.
Payroll Me Units(Work) Ko Create Karne Ke Liye Aapko Kuch
Simple Steps Ko Follow Karne Padege, Jo Ki Kuch Is Tarah Se Hai.
STEP:1- Unit Ko Create Karne Ke Liye Aapko Unit(Works)
Ke Option Me Jana Hoga Aur Simply Create Ke Option Par Click
Karna Hoga
       .
STEP:2- Ab Aapko Employee Ke Liye Units Create Karni Hai, To
Aaiye Units Create Karte Hai.
                    Minuts Unit Creation:-
                    Hours Unit Creation:-
Ab Humko Ek Compound Unit Create Karni Hai, Jo Ki Kuch Aisi
Hai:- {1 Hrs 60 Min} Ki Aaiye Is Unit Ko Create Kare.
1 Hrs 60 Min Unit Create:- Sabse Pahle Unit creation Ki Menu Par
jaye Aur Ab Compound Unit Create Karne Ke Liye Keyboard Se
Shift+Tab Button Ko Press Karege, Toh Aap Back Aa Sakte Hai,
Aab Aapko Yaha Compound Unit Ko Select Karna Hai.
             compound unit create For 1 Hrs 60 Min
Ab Aapne Hours, Minutes Aur Ek Compound Unit Ko Aasani Se
Create Kar Liya Hai.
Payroll Me Attendance Production Type Kaise Create
Kare?
Attendance Production Type:- Attendance Production Type Me
Hum Employees Ki Sari Attendance, Leave, Overtime, Absent Etc
Ye Sabhi Details Employee Ki Use Create Karte Hai.
Payroll Me Attendance Production Type Ko Create Karne Ke Liye
Aapko Kuch Simple Steps Ko Follow Karne Padege, Jo Ki Kuch Is
Tarah Se Hai.
STEP:1- Attendance Production Type Ko Create Karne Ke Liye
Aapko Attendance Production Type Ke Option Me Jaye Aur Simply
Create Ke Option Par Click Kare.
STEP:2 Ab Aapke Samne Attendance Production Type Ki Menu
Show Hogi. Yaha Par Hum 3 Types Ki Details Ke Liye Attendance
Production Type Create Karege.
1:-Overtime:- Jab Employee Overtime Karega, Uske Liye Hum
Attendance Production Type create Karege.
     Name:- Name Me Overtime Fillup Kare.
     Under:- Under Me Aapko Primary Me Hi Rakhna Hai.
     Attendance Type:- Attendance Type Me Production Ko Select
      Kare.
     Unit:- Unit Me Aapne Jo Unit Create Ki Hui Thi 1 hrs 60 min
      Usko Select Kare.
Sabhi Details Ko Fillup Karne Ke Baad Yes Karke Details Ko Save
kar Le.
2: Absent:- Jab Employee Absent karega To Uske Liye Hum
Attendance Production Type create Karege.
     Name:- Name Me Absent Fillup Kare.
     Under:- Under Me Aapko Primary Me Hi Rakhna Hai.
     Attendance Type:- Attendance Type Me Leave Without
      Pay Ko Select Kare.
.Sabhi Details Ko Fillup Karne Ke Baad Yes Karke Details Ko Save
Kar Le.
3: Seek Leave:- Jab Employe Seek Leave Lega Toh Uske Liye
Attendance Production Type Create Karege.
     Name:- Name Me Seek Leave Fillup Kare.
     Under:- Under Me Aapko Primary Me Hi Rakhna Hai.
     Attendance Type:- Attendance Type Me Attendance Leave
      With Pay Ko Select Kare.
.Sabhi Details Ko Fillup Karne Ke Baad Yes Karke Details Ko Save
Kar Le.
Ab Humne Attendance Production Type Ko Successfully Create
Kar Liya Hai.
Payroll Me Pay Head Kaise Create Kare?
Pay Head:- Aapko Joh Bhi Salary Company Se Milti Hai, Woh
Normally Bahut Sare Heads Se Milkar Create ki Gayi Hoti Hai,
Uske Bare Me Hum Details Se Janege. Heads Means Dakha Jaye
Toh Masters Hote Hai Jaise Accounting Me, Theek Usi Tarah Yaha
Payroll Me Heads Hote Hai.
Hum Yaha Par Kuch Pay Heads Ko Create Karege Like -Basic
Salary, DA(Dearness Allowance), PF( Provident Fund),
TA(Travelling Allowance), Overtime, HRA(House Rent Allowance),
Professional Tax, Gratuity, Leave And Bonus Etc Etc.
Pay Heads Ko Create Karne Ke Liye Aapko Kuch Simple Steps Ko
Follow Karne Padege, Jo Ki Kuch Is Tarah Se Hai.
STEP:1- Pay Heads Ko Create Karne Ke Liye Pay Heads Ke Option
Me Jaye Aur Simply Create Ke Option Par Click Kare.
STEP:2 Ab Pay Head Creation Ki Menu Aapke Samne Open Ho
Jaegi, Mai Aapko Ek-2 Karke Pay Head Create Karna Batauga To
Aaiye Dakhte Hai, Please Pay Head Ko Carefully Create kare jaisa
Maine Screenshot Me Aapko Karke Dikhaya Hai.
    Basic Salary Ka Pay Head Create Karna:-
Basic Salary Ka Pay Head Create Karne Ke Liye Screenshort
Dakhe Aur Isi Tarah Se Create Kare.
    DA (Dearness Allowance) Ka Pay Head Create
                     Karna:-
DA Ka Pay Head Create Karne Ke Liye Screenshot Dakhe Aur Isi
Tarah Se Create Kare.
  PF (Provident Fund) Ka Pay Head Create Karna:-
PF Ka Pay Head Create Karne Ke Liye Screenshot Dakhe Aur Isi
Tarah Se Create Kare.
   TA (Travelling Allowance) Ka Pay Head Create
                      Karna:-
TA Ka Pay Head Create Karne Ke Liye Screenshot Dakhe Aur Isi
Tarah Se Create Kare.
      Overtime Ka Pay Head Create Karna:-
Overtime Ka Pay Head Create Karne Ke Liye Screenshot Dakhe
Aur Isi Tarah Se Create Kare.
 HRA (House Rent Allowances) Ka Pay Head Create
                    Karna:-
HRA Ka Pay Head Create Karne Ke Liye Screenshot Dakhe Aur Isi
Tarah Se Create Kare.
        Leave Ka Pay Head Create Karna:-
Leave Ka Pay Head Create Karne Ke Liye Screenshot Dakhe Aur
Isi Tarah Se Create Kare.
        Bonus Ka Pay Head Create Karna:-
Bonus Ka Pay Head Create Karne Ke Liye Screenshot Dakhe Aur
Isi Tarah Se Create Kare.
To Is Tarah Se Aap Pay Heads Ko Aasani Se Create Kar Sakte Hai.
Maine Screenshot Me Sabhi Pay Heads Me Kya Details Ko Fillup
Karna Hai, Woh Ki Hui Hai, Aap Please Isko Hi Follow Kare.
Payroll Me Salary Details Ko Kaise Create Kare?
Salary Details:- Ab Payroll Me Aap Apne Employees Ki Salary Ko
Define Kar Sakte Hai, Ki Unki Basic Salary Kitni Hogi, Kya-2
Allowance Katege Sabhi Kuch Aap Salary Details Ke Jariye Define
Kar Sakte Hai.
Salary Details Ko Create Karne Ke Liye Aapko Kuch Simple Steps
Ko Follow Karne Padege, Jo Ki Kuch Is Tarah Se Hai.
STEP:1- Salary Details Ko Create Karne Ke Liye Salary Details
Ke Option Me Jaye Aur Simply Define Ke Option Par Click Kare.
STEP:2- Ab Aapke Samne Name Of Employee/Groups Ki Menu
Open Hogi, Aapko Bhi Bhi Employee Ya Group Ki Salary Define
Karni hai, Usko Select Karke Simply Click Kare. Yaha Mai Nitesh
Kumar jo Ki Ek Employee Hai Uski Salary Ko Define Kar Raha
Hu.
STEP:3-Jaise Hi Aap Nitesh Kumar Employee Ko Select karege,
Aapke Samne Salary Details Ka Page Open Ho jaega. Yaha Par
Aapko Nitesh Kumar Ki Salary ko define Karna Hai, Ki Uski Basic
Salary Kya Hai, DA Kya Hai, HRA Kitna Katata Hai, Usne Kitne
Hours Overtime Kiya, Use Kitna Bonus Dena hai, Means Sabhi
Kuch Deduction Aap Apni Marji Ke According Yaha Salary Details
Me Kar Sakte Hai.
Salary Details Ko Fillup Karne Ke Baad Simply Yes karke Details
Ko Save Kar Le.
Payroll Me Voucher Type Me Kuch Alteration Karne
Hoge?
Payroll Ko Create Karne Ke Liye Voucher Type Me Kuch
Alteration Karne Padege Jo Ki Aap Is Tarah Se Kare.
STEP:1 Voucher Type Ko Alter Karne Ke Liye Aapko Voucher
Type Me Jakar Alter Le Option Par Simply Click Kare.
STEP:2 Ab Aapke Samne List Of Voucher Types Ki Ek List Open
Hogi, Yaha Par Aapko Payroll Ko Select kare Aur Simply Click
Kare
STEP:3 Ab Aapke Samne Payroll Voucher Open Ho jaega Aapko
Simply Name Of Class Ke Option Me Jake Staff salary Naam Likh
Kar Ek Staff Salary Ka Ledger Create Karke Save Kar Lena Hai.
Bus Ye Ek Normal Alter Aapko Payroll Voucher Me Karna Padega
Toh Is Tarah Se Aaj Maine Aapko Payroll Info Me Jo-2 Options
The Unke Bare Me Bataya Ki employee Kaise Create Kare,
Employee Group Kaise Banaye, Pay Head, Salary Details Kaise
Create Kare Etc Etc.
Payroll Practics Paper Ko Download Karne Ke Liye Niche Link Par
                           Click Kare
                          Download Now
Thanks You For Vising Technical Cube. Now