0% found this document useful (0 votes)
27 views3 pages

Scene 1-4 Kisanak

The scene depicts a morning in Argha's household where he oversleeps and rushes to get ready for school, contrasting with his brother Kush who is already prepared. Their mother scolds Argha for his tardiness while Kush tries to support him, highlighting the sibling dynamic. As they leave for school, Argha's mood shifts when he meets his friends, showcasing the camaraderie and light-heartedness of childhood despite the morning chaos.

Uploaded by

sc4700488
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
27 views3 pages

Scene 1-4 Kisanak

The scene depicts a morning in Argha's household where he oversleeps and rushes to get ready for school, contrasting with his brother Kush who is already prepared. Their mother scolds Argha for his tardiness while Kush tries to support him, highlighting the sibling dynamic. As they leave for school, Argha's mood shifts when he meets his friends, showcasing the camaraderie and light-heartedness of childhood despite the morning chaos.

Uploaded by

sc4700488
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 3

SCENE 1 – ARGHA’S ROOM – MORNING

(Argha apne bistar par let kar so raha hai. Uske chehre pe ek halka sa muskaan. Aisa lagta
hai jaise koi achha sapna dekh raha ho.)

(Tabhi darwaza khulta hai. Uska Maami andar aati hai, haath mein ek towel ya kapra.)

Maa (tez awaaz mein):


Argha! Uth jaa! School ke liye der ho rahi hai!

(Argha achanak se chonk ke uthta hai. Aankhon mein neend, muh thoda khula, baalon ka
haal kharab.)

Argha (ghabra ke):


Hain? Itni der ho gayi?

(Ghadi dekhta hai. 7:45.)

Argha (jaldi se uthane lagta hai):


Oh no! Mammi apne pehle kyun nahi uthaya?

Maa (gusse mein):


Teen baar bulaya! Tu toh sapnon mein hi busy tha!

(Argha daudte hue kapre pehn raha hai, shirt ulta, tie haath mein, ek jutta pehne bina
neeche bhaagta hai.)

SCENE 2 – DINING ROOM – CONTINUOUS

(Dining table pe Kush shanti se baitha breakfast kar raha hai. Uska school uniform bilkul
sahi. Bag tayar. Papa newspaper padh rahe hain.)

(Argha huff karte hue chair kheenchta hai aur baith jaata hai. Shirt abhi tak theek se pehna
nahi. Tie latak raha hai.)

Maa (taana maarte hue):


Dekha? Tera bhai Kush kabse ready hai, aur tu abhi tak dhang se shirt bhi nahi pehna?

Baba (bina akhbaar se nazar hataaye):


Thoda discipline seekh le apne bhai se.

Maa:
Kush padayi mein bhi kitna acha hai. Har kaam time pe karta hai. Kamse kam Ek baar to
uske jaise ban jaa.

(Argha muh fulake chhupke chhupke bolta hai.)

Argha (chhupke se):


Kam se kam main bhaiya jaise boring toh nahi hoon...

(Maa sun leti hai.)

Maa (chillakar):
Kya kaha tune?

Argha (ghabra ke):


Na na! Kuch nahi maa!

(Kush dheere se maa ke taraf mudta hai.)

Kush (shant awaaz mein):


Maa, rehne do na... chhota hai abhi...

Maa (thoda tez):


Har baar tu hi iska side leta hai, Kush! Ye toh bigad hi gaya!

(Argha chupchap khana khate khate Kush ki taraf dekhta hai, fir maa ke taraf. Baba ab bhi
newspaper mein busy.)

Baba (ghadi dekhkar):


8 baj gaye. Bus aane wali hai. Jaldi karo dono. Mujhe bhi office ke liye nikalna hain

(Kush khana khatam karta hai, bag uthata hai. Argha tie theek karne ki koshish karta hai.)

Maa (dabba dete hue):


Lunch lena mat bhoolna! Aur Argha – shirt thik karo apna! Bohot ajib lag raha hain aise ye
shirt!

Argha (tie ghuma ke):


Ho gaya maa, bas abhi ho gaya...
Kush:
Chal Argha, varna ab bohot der ho jayga!
Maa:
Har roz tere bajase kush ko late ho jata hain koi bhi kam Terese dhang se nehi hota hain
Kush :
Wo ma rehene do na kiyu waise bol rahe ho ise bhai hain mere itna to kar hi sakta hu iske
liye…
(Dono bhaag ke nikalte hain, Argha ka juta ka rassi khula hua tha. Maa piche se chillati hai.)

Maa:
Jutta thik se pehen lo pehele rassi khula hua hain gir jayoge…
Argha (door se chillata hai):
Pehen lungi ma…

(Scene freeze hota hai – ek bhai perfectly tayar, ek pura mess. Contrast bilkul clear. Lekin
dono haste haste school ki taraf nikal padte hain.)
SCENE 3 – EXT. OUTSIDE THE HOUSE / LANE – CONTINUOUS

(Kush aur Argha ek saath tezi tezi chal rahe hain. Argha abhi tak thoda frustrated lag raha
hai.)

Argha (gusse mein, low tone mein):


Bhaiya... tujhe mere saath school jaane ki zarurat nah haini. Main khud jaa sakta hoon.

Kush (thoda hairaan):


Kiyu Kya hua ab?

Argha (ruk kar):


Mere wajah se tujhe roz late ho jaata hai. Tu ready ho jaata hai, fir sab mujhe bolte rehte
hain ki Kush kitna perfect hai, aur main...

Kush (ek halka sa muskaan ke saath):


Toh kya hua? Tu mera chhota bhai hai. Tere liye itna toh kar hi sakta hoon, na?

(Kush uska bag thoda theek karta hai. Argha kuch nahi bolta. Sirf aage chalte lagta hai.
Dono ka mood contrast hai.)

SCENE 4 – STREET / ON THE WAY TO SCHOOL – MOMENTS LATER

(Argha ke doston ka group saamne se aa raha hai. Wo log Argha ko dekhte hi excitement
mein chillate hain.)

Raju (doosre taraf se):


Areeeee Arghaaaaa! O hero! Idhar aa bhai!

(Argha ka mood ekdam change ho jaata hai. Hasne lagta hai, tezi se unke paas jaata hai.)

Rinki:
Tu aaj phir late hai! Ghar waale daante hain kya?

Argha (hanskar):
Pucho mat yaar. Maa papa toh lecture machine ban gaye hain. Par bhaiya ka support 24/7
chalu hai!

Bunty (laughs):
Kya baat hai leader! Chalo chalo, school chalke teacher ka gyan bhi to abhi lena baki hain!
(Sab milke mazak mazak karte karte school ki taraf badhte hain. Kush piche chupchap
chalte hue sabko dekhta hai,)

You might also like