speech
mera naam SYED ADEEM HAIDER hai aur mera taaluq azad kashmir se hai, ye baat
batanay ka maqsad ye hai ke bachpan se mujhay apne haq ke liye awaz uthana aur
usske liye larna sikhaya gya hai. Aaj idhar khare houkar aap sab ki ankhon main
awaz uthanay ka jazba nazar aata hai, ye short attendance ki awaz hai, ye leaves na
milne ki awaz hai, ye har bujhte charaagh ki awaz hai, ye har tootay khwaab ki
awaaz hai, sun sako tou suno YE BAQAI ki awaaz hai.
Aaj phir BAZAAR saja hai, BOLI lagi hai aur qeemat lagayi jarahi hai har
aik vote ki, kuch choote KHWAAB, kuch la haasil JAWAB, yaad rahay mainay ye mansab
PAYA bhi NIBHAYA bhi isi liye sawal karta hun kya study spaces barhane ke liye
lecture halls khule? kya sab departments main AC laga? kya har department ko
barabar haq mila? kya poori university ke liye kisi ne awaaz uthayi?
Aaj in naaron ke shor main main ye kehta hun ke ye loug mere apne, inke
sapne mere apne, inke khwaab mere azaab mere aur logo tum bhi sunlo abhi badal
pairon ke neeche hain phir bhi pani ko tarso ge, tum barish bhi bansakte hou KYA
ANSU BAN KAR BARSO GE?
mere logon tumko andaza nahi apni taqat ka agar tum sab aik houjao tou
tumhari aankh se tapka ansu katra houjae, katra darya houjae, darya samandar
houjae, aur samandar bhi wou jou tumhare sare haq poore karde.
aaj in baaki candidates ki nazar main main aik mujrim hun, mera jurm hai mera
experience, mera jurm hai meri competence, mera jurm hai mera kaam, mera jurm hai
mera naam.
iss sab ke bawajood main yahan dat ke khara hun aur aik sawal karta hun, har
jurm meri zaat se mansoob e mohsin, mere siwa iss sheher main masoom hain saray?
iss masoomon ke sheher main har shakhs apna mujrim hai, hai koi jou ye kahay ke
wou apni university life se mutmain hai? hai koi jou ye kahay ke usko university
main events nahi chahye? tou phir apne girabaanon main jhanko, khud ko jhinjhoro
aur ehsaas dilao ke aik taraf jhootay khwabon ke paigham hain (pointing at other
candidates) aur aik taraf mere kaam hain.