Aakhri Tasweer
( A Horror Love Story )
                      By
                  Durrani6
Pyaar kya hai ?? Agar Hamara Pyar Hamse Dur
bhi to Uske Pyar ka Ehsass Hamare Pass Hi hota
 hai. Bina kisi Profil Ya Lalach ke,Samne wala
Person ke Expectation ko Samajhane ki Koshish
 karta hai... koi kehta hai pyar waste of time hai
koi kehta hai pyar boht badi cheez hai , but mein
 kehta hu k pyar woh ehsaas hota hai jo samne
   wale shakhs ko shuruaat mein samajhne ki
               khuahish hoti hai ...
Agar Koi ladki Kisi ladke ko dekhkar hasti hai to
Iska matlab Love se nhi nikala ja sakta hai. Kyu
Insaan ka Hasna aur Rona Normal hota hai. Ye
Sab us samay ki situation Par Depend karta hai.
Love ko true love me Convert karne k liye Dusre
  Partner Ki Respect aur Feeling ko Samajhna
 Jaruri hota hai. Aur Hamare Point of View ke
  according Samane wala Lover Humse Jyada
                 Love karta hai.
     Ab jo kahani mein likhne jaa raha hu ye
 Maqbool Jahangir ki likhi kahani hai , jo mein
padh chuka hu mujhe boht pasand aya to socha k
aap logon k sath bhi share karu , isliye mein ne is
 kahani ko simple aur sada alfaz mein likha hai
aap sab k liye But the credit goes to real Writer ...
                      Update 1
Teen so saal purani who tasweer aaj bhi humare
ghar mein maujood hai , iska rang roghan ,
kaaghaz aur lakdi ka who besh qeemti frame bhi
waisa hi hai jaise teen so saal pehle tha .. itna arsa
guzarne k bawjood tasweer ko kuch nahi hua tha ..
Aise maaloom hota hai jaise painter ne abhi thodi
dair pehle banaya ho, aur agar humare pas
qadeem kaghzat na hote to ye sabit karna mushkil
ho jata k ye tasweer mughal shahinshah shah
jahan k zamane k painter Bilal Shams ne banaya
hai ..
Mein jis tasweer ka zikar kar raha hu who Bilal
Shams ki akhri tasweer thi is tasweer k baad usne
painting chorh di .. kehte hai is tasweer ko banana
k bad usne apne tamam brush , qalam aur rang o
roghan zayah kar diye aur marte dum tak koi
tasweer na banane ki qasam kha lit hi ..
Iske doston aur qadardaanon ne boht koshish ki
Bilal Shams apni qasam torhne per razamand ho
jaye , iske liye who isey har who cheez dene k liye
tayyar the jjo Bilal Shams in se talab kar sakta tha
lekin be sood …
Dunya ki badi se badi qeemti cheez , zar o jawahir
aur har Aarayish is ke nazdeek koi qeemat nahi
rakhti thi , isne kaha k who Bilal Shams jo tasweer
banaya karta tha who mar chukka hai ..
Iska dil thandi raakh ban chuki hai jis mein
hararat ki aik chinkari bhi nahi hai ,
Bilal Shams ne painting kyu chorhi iske peeche aik
dardnaak daastaan pheli hui hai .. aisi daastaan jo
abhi tak seeno me dafan thi , lekin ab teen sadiyan
guzarne k baad mein isey sunane ki koshish kar
raha hu ..
Ye kahani mere par dada k par dada ko Bilal
Shams ne khud sunayi thi aur ye tasweer bhi khud
unhein ata kit hi , sar sari taur par dekha jjaye to
isme koi khaas baat nazar nahi ati magar joo joo
nazar gehri hoti hai , tab tab tasweer k khaal o khat
ubharte hai , aahista aahista tasweer ka mahol
jandar hone lagta hai ..
Lakeer , daayire , zaaviye aur rang bhi saans lete
mehsoos hote hai aur tamashayi khud is jeete jagte
mahol ka aik hissa samajhne par majboor hota hai
aur yehi is tasweer ki khoobi hai ..
                      Update 2
Is tasweer me aik aalishan haweli ka sajaya kamra
, farsh par qaleen bicha hua , aur darwazon aur
khidkiyon par reshmi pardey , chhat k beech
intihayi qeemti jhhaarh latka hua .. daaye baaye
dewaaron par fanoos , aur kamre k aik side pe aik
pari si shakal ladki sar se paaon tak safed kapde
pehne khadi hai .. iski umar 19 20 saal ho gi .. is
par haya aur maasumiyat k sath sath ghabraahat k
aasar numayan hain..
Dil fareb chehre par aik jaali ki naqab hai jis me se
iska chehra nazar ata hai .. haseen labon par
painter ne boht ache se kapkapahat ka who jazba
bhi hamesha k liye qaid kar diya hai jisey dekhne k
liye bareek nazar ki zaroorat hoti hai is haseen
ladki k hath me chhotasa nazuk sa chiragh hai aur
iski roshni sidhi is k chehre pe padh rahi hai kuch
faasle par aik lambe qad ka burha aur ajeeb shakal
ka adami kale kapde pehne maujood hai .
. iski aankhein intihayi chamakdar , hont kabootar
k khoon ki tarah laal aur naak tote k choonch ki
tarah murhi hui hai Sar par chhoti si siyah pagdi
hai jis ke beech me aik heera laga hua hai .. is
haibat naak shakhs k daye pehloo me talwar latki
hai aur is k hath talwar k daste par hai aur iske
andar se saf pata chalta hai k who talwar kheench
k bahir nikalna chahta hai aur ghor se dekha jaye
to talwar kis qadar khinchi hui bhi nazar ati hai Is
shakhs k gale me motiyon aur heron k kayi haar
bhi pade hai .. aisa maaloom hota hai jaise ye
shakhs koi boht bada badshah hai .. dekhne wala
pehli nazar mein hi faisla de de k ye aaik aise
shakhs ka chehra hai jo darindagi aur be rehmi me
apni misaal aap hai ...
ye bhi un badshahon ki tarah lagte hai jo apne jeet
k yadgar k taur par logon k khopdiyon se mehel k
meenar banaya karte the aur jin ke dil me rehem ,
hamdardi , shafqat aur muhabbat k alfaz kabbhi
shamil nahi rahe ¡* Painter ne apne pure art ko is
shakhs k tasweer banane me waqf kiya hai jiski
wajah se aisa lagta hai jaise ye shakhs samne hi
khada ho .. kitni hairat ki baat hai k is haseen ladki
ko dekh kar dekhne wale k zehn me jo pakeeza aur
ache jazbaat peda hote hai, is doosre shakhs ki
tasweer par nazar dalte hi hawa ho jate hai aur in
ki jagah nafrat k jazbaat ubharne lagte hai ..
koi bhi shakhs is tasweer par ziada dair nazar
jamaye nahi reh pata .. Aur ye haseen ladki Fatima
thi , Tabrezi khan painter ki haqeeqi bhaanji , jisey
us ne baap aur maa ban kar pala tha .. jis zamane
me qeheth saali hui aur log rotiyon ko tarasne lage
tab tabrezi khan ka sara khandan is marz ka shikar
ho gaya aur aik aik kar k sab rukhsat kar gaye ..
Bhare pade ghar mein sirf do log hi reh gaye ,
Fatima aur tabrezi khan Fatima un dino boht
chhoti thi , tabrezi dil o jan se apne is nanhi
bhaanji ko chahta tha .. is ne bade naaz se iski
parwarish ki aur taaleem o tarbiyat bhi di ..
Fatima jawan hui to jaise qayamat apne sath le kar
ayi ¡* Bade bade jaagirdar , aur nawab is ko pane
ki khwaab dekhne lage .. yaha tak k shahi khandan
k shahzadon ne bhi fatimaa ka zikar suna aur
darbari parinter on ne is ki khubsurat se khubsurat
tasweer bana kar mehel me pahunchayi .. Lekin
tabrezi bhi koi aam aadmi na tha us zamane k sab
se bade aur izzat dar painter the aur sab se badi
baat us zamane k badshah k sath uthna bethna
hota tha uska ..
agar usne kisi ki shikayat badshah se kr di to
badshah us shakhs ko kabhi zinda nahi chorhega
,is dar se log chup bethte the .. Tabrezi janta tha
abhi Fatima maasoom hai , is dunya ki oonch
neech ache bure ki tameez nahi hui usey .. thodi
badi ho jaye tab iski shadi kar di jayegi , yehi soch
thi tabrezi ki , lekin usey kya khabar thi k fatima ka
dil to kab ka ghayal ho chukka aur tabrezi khan k
nojawan shagird Bilal Shams ko who rooh ki
gehrayion se ziyada chahne lagi hai kuch yehi
kefiyat bilal shams ki bhi thi .. isne boht koshish
kiya k who Fatima ki taraf attract naho , is ki
tasweer , iske khayal apne zehn se nikal de par
namumkin tha ye sab , iski har koshish buri tarah
nakam ho chuki thi ..
Who khoob janta tha k tabrezi khan apne bhaanji
ki shadi kisi aise shakhs se kar de ga jis ki koi
haisiyat ho .. is haseen ladki k liye oonche maldaar
gharanon k ache se ache nojawanon ki kami na thi
, phir ye kaise mumin hai k tabrei khan fatima ka
hath bilal shams k hathon me de de , jiske pas na
khane ko kuch tha , na pehenne ko aur who apni
zaroorat k liye har tarah se apne ustaad ka
muhtaaj tha .. Haan ye alag baat hai k khud bilal
shams mardana husn ka behtareen namuna tha ,
khush ekhlaaq aur ache painter bhi the , haan
agar who ghareeb na hote to who be shak Fatima k
liye behtareen shohar sabit ho sakta tha , lekin
daulat mand banne aur naam paida karne k liye
bhi badi mehnat ki zaroorat thi ..
woh apne kaam me kho jata ¡* din raat tasweer
banata .. Kayi aur shagird bhi tabrezi se painting
sikhne iske aalishan makan par ate lekin jitney
adab aur izzat se bilal shams apne ustaad se pesh
ata , inme se koi bhi shagird aise pesh na ata .. yehi
wajah thi k boht jald hi tabrezi khan is par bharosa
karne laga ..isey maaloom ho gaya k bilal shams
shareef nojawan hai , Is par bharosa kiya ja sakta
hai aur isey kam sikhne ka bhi shauq hai , isliye is
ne bilal shams ko apni haweli ka aik kamra diya
aur is ki tamam zaroriyat is ko dene laga ...
                      Update 3
Phir who din bhi aa gaya jab bilal aur Fatima ki
aankhein chaar hui .. aik na bujhne wali aag thi
jisme who dono jalne lage .. mulaqatein barhne
lagi aur hamesha sath jeene aur marne k qasme
khane lage .. sab kuch janne aur samajhne k
bawjood aik doosre se muhabbat kiye chale ja rahe
the aur in ki muhabbat ka ilm khuda k siwa kisi ko
na tha …
Din tezi se guzar rahe the .. Fatima aur bilal ka
ishq urooj par aya , lekin is me kisi qism ka jismani
taaluq na tha who ghanto aikdusre k samne beth k
baatein karte rehte ..
Bilal shams us sham akele apne tasweer khane me
maujood tha aur aik tasweer banana me aise kho
gaya tha k usey dunya ki koi khabar na thi .. who
darasal aik mughal shahzadi ki tasweer kayi dinon
se bana raha tha aur ajeeb ye thi k hamesha
tasweer mein kahi na kahi aisi ghalti ho jati k puri
tasweer kharab ho jati aur nayi banana padhti ..
Ab tak 4 5 bar tasweer kharab ho chuki thi aur 6wi
bar tasweer banana me laga hua tha .. boht der
baad usey pata chala k dar asal who ghalti kaha
kar raha hai ..hota ye tha k who jab bhi tasweer k
aankh , peshani aur hont banata to shahzadi ki
shakal bilkul Fatima se millti to who dar k qalam
phenk deta …
Iski samajh me nahi ata tha k har baar Fatima ki
tasweer kyu ban rahi jabke iske pas hi us mughal
shahzadi ki tasweer padi hui thi jisey kisi aur
painter ne banaya tha , lekin ye tasweer shahzadi
ko pasand na ayi aur shahanshah ne tabrezi khan
ko hokum diya tha k who is ki piyari beti ki nayi
tasweer banaye …
Tabrezi khan ne ye kam bilal shams k zimme kar
diya tha aur jitni muhlat isey di gayi thi , who bs
khatam hi hone wali thi ,lihaza bilal shams apna
pura tawajjuh se tasweer banane laga , Fatima ka
khayal dilse nikal k ..
Isey khabar tak na hui k kab tabrezi khan k dusre
shagird rukhsat ho gaye aur kab suraj ghuroob ho
gayi aur kab haveli ka who burha mulazim
chiraagh roshan kar ke waha rakh kar chal gaya ..
is dauran aik bar bhi Fatima ka khayal bilal shams
k zehn me na aya tah
Akhir kar shahzadi ki tasweer tayar ho chuki thi
aur shahzadi ki shakal Fatima se bhi nahi mil rahi
thi , ye shahzadi thi to boht khubsoorat magar
Fatima jitni nahi thi ..
Bilal shams ne qalam neeche rakha aur aik piyali
aur choti si brush uthaya .. is piyali me gulaabi
rang tha aura b tasweer me rang bharne ka aghaaz
karne wala tha .. abhi isne 3 4 bar brush chalaya hi
tha k peeche se kisi k ane ki aahat hui ,who chonka
aur jaldi se peeche murh k dekha ..
Bilal ka khayal tha k ye dabe paon kamre mein ane
wali harkat Fatima k siwa koi aur nahi kar sakta
hai ,, aksar aisa hota tha k sham ko suraj k chupne
k baad chand lamhon k liye Fatima bilal k kamre
me ati thi aur who bhi us waqt jab tabrezi haveli
me na ho …
Apne maamu k maujoodgi me uski majal na thi k
who haveli k mardane hisse me bagher ijazat k
qadam bhi rakh sake ,ye aur baat thi k tabrezi khan
ne isey kabhi bilal shams se parda karne ka hokum
na diya tha … aksar aisa bhi hota k tabrezi khan
bilal shams ko ghar k andar bulaya karta aur teeno
raat ko khana aik hi dastarkhwaan par beth kar
khate tabrezi khan ko apne naujawana shagird par
kuch aisa hi bharosa tha …
Bilal shams ne joon hi murh kar dekha .. uska
badan jaise pathar ka ho gaya ho .. Fatima k
bajaye iske saamne aik old age ka badshakal sa
shakhs sar se paaon tak kala kot pehne khada tha
..iske aankhein be had chamakdaar , mote mote
hont surkh aur gaalon k haddiyan ubhri hui thi ..
iske sar par siyah pagdi thi jis ke beech me besh
qeemti heera laga hua tha jo jagmaga raha tha …
Daye pehloo me talwar latka hua tha , ye ajnabi
kon hai ? aur ye is kamre mein kaise aya ? ye the
who sawal jo bilal shams k zehn me us waqt aa
rahe the us shakhs ko dekh kar , iske shakal aur
libaas se pata chal raha tha k koi mughal sardar ya
koi bada uhde daar hai ..
Us ajnabi se nigaah do chaar hone k baad bilal
shams ko yu mehsoos hua jaise is ke badan ka sara
khoon uske khopdi me jamah ho gaya hai ..
dehshat ki aik intihayi sard leher uske redh ki
haddi me utarti chali gayi ..
Ajeeb baat ye thi k haveli ka main darwaza aur
baqi chote darwaze ,khidkiyan hamesha andar se
band rehti hai aur koi parinda bhi par nahi maar
sakta .. phir ye shakhs kaha se aya ???
Bilal Shams ne ghabra kar moon pher liya .. is me
mazeed aankhein chaar karne ki himmat na thi ,,
who shakhs waise hi apne jagah pe khada raha
bagher hile ..bilal shams wapis apne kaam me
mashghool hua ab us shakhs ki nazar us tasweer
pe padi jis me bilal shams rang bhar raha tha ..
“ janab kya aap aaqa tabrezi se milne aye hai ??”
bilal shams ne bade adab se poocha ..
“ haan isi liye aya tha “ ajnabi ne bhari awaz me
kaha “ lekin is waqt who yaha haveli me nahi hai
kyat um usey mera pegham de sakte ho “
“ Irshad farmayie .. apka pegham mein un tak
pohoncha dunga “ bilal shams ne gerdan jhuka
kar kaha “aap mujh par pura bharosa kar sakte
hai .. mein aqaa e tabrezi ka khaas shagird bilal
shams hu “
“hoon ??” us shakhs ne bade ghuroor aur
takkabburi k sath aik baar bilal shams ko dekha
phir usi takabburana lehje mein kaha “ keh dena
usey subedar jalal abad tashreef laye the aur kal isi
waqt who apne havelo ma hazir rahe me dubara
aunga .. aik ehm muamle me tabrezi se baat karna
chaahte hain “
Ye bolne k baad who murha aur kamre se bahir
chala gaya .. aik niraali baat ye thi k jate hue uske
qadmon ki awaz ki ahat bilkul paida nahi hui..
kuch der tak bilal shams aise hi but bane khada
raha .. aise pur israr aadmi , jaise ye jalal abad ka
subedar tha , pehle kabhi na dekha tha bilal shams
ne .. usne jaldi se haveli k lawn me khulne wali
khidki khola aur jhaankne laga .. yaha se main
darwaza ba khubi nazar ata tha .. bilal shams ka
khayal tha k who us shakhs ko jate hue dekhega ,
lekin pura lawn weeran pada tha …
Main darwaza bhi band tha aur isey kholna aik
aadmi k bas ki baat bhi na thi , phir who subedar
jalal abad gaya kaha se .. bilal shams ne jaldi se
dusri khidki kholi jo haveli se bahir ki taraf thi
waha se bahir ka pura gali nazar ata tha magar
maze ki baat ye thi ki pura gali veeran pada tha ,
door door tak kisi ka koi pata na tha ..
Khuda hi behtar janta hai usey asmaan kha gayi ya
zameen nigal gayi ?? who khud se kehne laga ..
kisi bhi surat who mere nazar se bach k bahir nahi
ja sakta , phir kaha gaya ?? is sawal ne bilal shams
ko hairan o pareshan kar diya tha .. mumkin hai
haveli me koi khufiya rasta ho jahan se subedaar
jalal abad gaya ho .. us ne socha , haan aisa hi
hoga warna who kaha jaa sakta hai ..
Aise purane aur azeem ushhaan haveli on me
aksar tehh khane aur surange banaye jate hai taa
ke nazuk waqt me waha se bhaag sake ya panah
liya jaa sake aur subedar jalal abad yaqeenan aise
hi kisi khufiya raste se zaroor agah taham ye kitni
gher munasib baat hai k koi shakhs yu chup
chupate haveli me dakhil ho …
                     Update 4
Who apne tasweer khane se bahir aya .. us ne
darwaza band kar ke lohe ka bhari tala darwaze pe
lagaya aur chaabiyan apne lambe kot k jeb me
rakha , phir haveli k lawn ka baghor muaayina
karne laga .. usne har diwar ko hath laga kar
dekha k kahi koi khufiya rasta to nahi hai magar
be sood usey kahi aisa koi khufiya rasta na mila ..
who main darwaze ko dekhne laga jo boht ooncha
aur steel se banaya gaya tha purane mughal
badshahon k daur ka aur boht bhari bhi thi 3 4 log
mil kar usey khol sakte the isliye aksar ye main
darwaza band rehta tha aur logon k ane jane k liye
chote darwze hote the ..
Tabhi afzal baig haveli k zanana hisse se nikal kar
mardana hisse me aya .. is ne bilal shams ko main
darwaze k samne khade dekh kar qareeb aya aur
poocha ..
Afzal baig : kya baat hai barkhurdar , kuch
pareshan se nazar aate ho .. kher to hai ??
Bilal Shams : kuch nahi baba me dekh raha hu is
haveli me in darwazo k ilawa ane jaane ka koi aur
rasta bhi hai ya nahi ..
Afzal baig ne ghoor kar bilal shams ko dekha ..
uske boodhe wafadar aankhon meshak o shubhe k
asar nazar ane lage
Afzal Baig : koi aur rasta ?? .. kya kehte ho bilal
shams ?? .. akhir tumhe is waqt ye soojhi kya hai
??
Bilal shams ne baat ko taalte hue kaha
Bilal Shams : ooh kuch nahi kuch nahi .. bs yunhi
Isne socha k jalal abad k pur israr subedaar ka
qissa aqa e tabrezi k ilawa kisi aur ko kehna
munasib nahi , isliye usne kaha
Bilal Shams : ye batao baba jan k aaqa haveli
tashreef laye k nahi ??
Afzal Baig : who aaj zara dair se ayenge .. kisi
ameer k haan unki daawat hai , keh gaye the k
dastarkhwaan par inka intzar na kiya jaye ..
Fatima ki tabyat bhi kuch kharab ho gayi hai ,
usne keh diya k who khana nahi khayegi , aap
khana andar khayenge ya bahir ??
Bilal shams pareshan ho gaya Fatima k tabyat ka
sun k , usne poocha
Bilal Shams : kya ?? Fatima ki tabyat kharab hai
?? aur kab se ??
Afzal Baig : abhi kuch adha ghanta pehle se
kharab hai .. who beth k koi kitab padh rahi thi
tabhi is par kap kapi tari ho gayi aur kehne lagi ,
baba mujhe kambal orha do .. me ne usey kambal
orhaa diya .. kap kapi phir bhi na gayi tab me ne
aik aur kambal us par dal diya , uska rang peela
padh chukka tha aur baar baar keh rahi thi , k
baba mujhe kya ho raha hai , mera dil betha jar
aha hai ..me waha se aa kar tumhe btana chahta
tha , lekin Fatima ne mujhe apne paas se hilne bhi
na diya phir who apne aap se barhbarhane lagi ..
baba khuda k liye mujhe akela mat chodo .. agar
tum chale gaye to who yaha aa jayega .. is waqt
who haveli me maujood hai .. who boht khaufnaak
hai baba .. mujjhe usse boht dar lagta hai .. mujhe
tanha mat choro .. Fatima ki ye halat dekh kar me
behad khauf zada ho gaya .. uske andar se koi aur
hi awaz aa rahi thi .. aur phir who pur sukoon ho
gayi aur kap kapi jati gayi aur phir usne kambal
hatakar pare phenki , phir thodi dair me theek
hone k baad naraz hote hue kaha k ye dehekti
kambalein kon laya hai yaha inhein jaldi se hatao
yaha se .. mein ne uske hokum ki taameel ki ab
who besood so rahi hai ..
Bilal shams but bane ye kahani suntan raha ..
burhe afzal baig k har jumle k sath isey apne dil
dhadhkan band hoti hui mehsoos hui .. koi iske dil
k gehrayion se pukaar raha tha .. Fatima ….
Fatima …. Fatima ….
Afzal baig k sath who pehli baar Fatima k kamre
me dakhil hua , to uska tamam badan mare haibat
k paseene me tar ho gaya .. aik chadar orh k
palang par uski mehbooba so rahi thi aur uske
chehre pe sukoon thi aur kisi khushgawar khwaab
k zer asar uske lab muskura rahe the … bilal
shams mutmayin ho kar dabe paaon apne kamre
me laut aya...
                     Update 5
“ Subedaar jalal abad “ aqa e tabrezi ne bilal
shams k kamre me tehelte hue 10 bar ye naam
duhra chukka tha phir kaha
Tabrezi : subedar jalal abad ?? lekin me kisi aise
subedaar ko nahi janta … kya huliya bataya bilal
tumne ?? …. Mujhe yaad nahi padhta k mein
kabhi aise shakhs se mila hun … bilkul yaad nahi
aa raha … isne bataya nahi k akhir kis maqsad se
who mujhse milna chahta tha … kher mein uska
yehi intzar karta hu ..
Bilal Shams : janab mujhe ye samajh nahi aa raha
k who kyu milna chahte hai aap se
Tabrezi : shayad who apne ya apne kisi azeez ki
tasweer banwana chahte ho .. yehi baat hogi , isse
ziyada ehm baat who mujhse kya karenge ?? mein
wazeer na ameer , na koi bada uhde dar aik aam sa
painter aur koi kam to ho nahi sakta …
Bilal Shams ne dono khidkiyan khuli chodi thi aik
who jo gali me khulti hai aur dusri jo haveli k lawn
me khulti hai , who bari bari dono khidkiyon se
jhank raha tha k subedar jalal abad aye to usey
pata chale aur fauran apne ustaad ko khabar kare
.. lekin har bar nigahein nakam lautti .. akhir kar
sham k 7 baj gaye aur subedaar jalal abad ne bhi 7
baje ane ka kaha tha .. magar subedar jalal abad
ka kahi ata pata na tha .. tabrezi ne thak haar kar
kaha
Tabrezi : bhayi who shakhs ayega bhi k nahi ??
kyat um ne dekha nahi k 7 baj chuke hai ??