1.
Present Continuous Tense (am/is/are + verb-ing)
(Raha hoon / rahi hai / rahe hain — kaam abhi ho raha hai)
                English Sentence                             Hindi Translation
 I am studying.                                Main padh raha hoon.
 She is cooking food.                          Woh khana paka rahi hai.
 They are watching a movie.                    Woh movie dekh rahe hain.
 He is writing a letter.                       Woh patra likh raha hai.
 You are learning English.                     Tum angrezi seekh rahe ho.
2. Passive Voice (am/is/are + 3rd form)
(Kiya gaya hai / banaya gaya hai — kaam ho chuka hai, kaun kar raha hai yeh important
nahi hai)
                English Sentence                             Hindi Translation
 The work is done.                             Kaam kiya gaya hai.
 The food is cooked.                           Khana pakaya gaya hai.
 The movie is watched.                         Movie dekhi gayi hai.
 The letter is written.                        Patra likha gaya hai.
 English is learned.                           Angrezi seekhi gayi hai.
Ek Simple Trick:
   ● Agar "raha hoon / rahi hai" lag raha hai — to verb + ing lagega.
   ● Agar "kiya gaya hai" lag raha hai — to 3rd form (past participle) lagega.
I do
Main sach bolta to hoon.             I do speak the truth.
Main uski madad karta to hoon.       I do help him.
Main waqt pe aata to hoon.           I do come on time.
Main tumse pyaar karta to hoon.      I do love you.
2nd Person (Tum / You)
Hindi English
Tum mehnat karte to ho.     You do work hard.
Tum baat samajhte to ho.    You do understand the point.
Tum mujhe yaad karte to ho. You do miss me.
3rd Person (Woh / He/She)
Hindi English
Woh sach kehta to hai.       He does tell the truth.
Woh uski izzat karti to hai. She does respect him.
Woh samay par aata to hai. He does arrive on time.
Note:
"do" ka use hota hai I / you / we / they ke saath.
"does" ka use hota hai he / she / it / singular name ke saath.
Verb ka base form hi lagta hai (e.g., do eat, do help, not “do eats” or “do helps”).